Incest Aashiqui 2 ( A Saga of Thriller, Hate, Love, Romance, Friendship, Betrayel and Revenge )continue

Dunya badi Benchot Hans k Khaye meine Zakham
Moderator
3,251
6,106
143
Update 2

Haveli mein enter hote hi gadi park karta hai aur andar jata hai. Kashifa Khala wahi hall mein bethi huyi thi, shaheer ko dekh kar khadi ho jaati hai aur mulazimo ko ishara karti hai dinner tayar karne ka.

"Dinner late lagaye, durrani aa rha" shaheer apne room ki taraf jaate hue bas itna hi kehta hai.

Shaheer uper jaata hai aur apne room mein enter karta hai. Table pe mukhtalif brand k sharab parhe hue the, aur bed k side table pe fareeha ki tasweer thi frame mein. Shaheer laptop ka bag sofe pe rakhta hai aur washroom jata hai fresh hone.

Kuch der mein fresh ho k bahar aata hai aur jaa ke sofe pe bethta hai aur sharab ki bottle khol k peg banane lagta hai. 2 peg ghatakne k baad thoda nasha charhta hai usko. Fir who uthta hai aur bed ki taraf jata hai, fir side table se fareeha ki tasweer uthata hai aur wapas sofe pe bethta hai.

"Tum sudhroge nahi na ? Boht shaitan ho gayi ho tum, Aaj fir aa gyi thi tum mujhe tang karne hmm" Shaheer teesra peg peete hue fareeha k tasweer ko dekhte hue kehta hai "Aik bar aa jao tum bas, fir dekhna tum, tumhein mein kya saza deta hu"

Aik hath mein sharab ka glass aur dusre mein fareeha ki tasweer liye bas dekhe hi jaa rha tha shaheer. Aik sip leta hai aur kehta hai.

"Per tum aati bhi to nahi ho na fareeha" shaheer k aankhein nam ho gaye the "Akhir kaha chali gayi ho tum Fareeha ? Itni badi saza de di tum ne mujhe"

Bilakh bilakh kar rone laga shaheer ye bol kar. Aise hi kayi ghanto tak sharab ka ye daur chala, usey hosh tab aya jab Kashifa khala ne aa ke usey dinner pe bulaya aur bataya k Durrani aa chuka hai aur dinner pe uska wait kar rha hai.

Shaheer ladkhadate hue kamre se bahar nikla aur neeche utarne laga. Girte sambhalte ground floor pe pohoncha, usko dekh kar durrani uske paas aya aur usse milne k baad usko pakadh k dining table pe laa k chair pe bithaya. Fir sab khana start karte hai, khala plate mein daal k shaheer ko deti hai aur shaheer bhi dheere dheere khane lagta hai.

"Shaheer beta tum thoda kam piya karo, aaj kal boht ziada peene lage ho, tumhare sehat k liye acha nahi hai ye" khana khate khate Kashifa khala kehti hai "Durrani beta tum thoda samjhao isey, office se aane k baad shuru ho jata hai aur raat 1 2 tak peeta rehta hai, aise to ye apni zindagi barbad kardega"

"Shaheer sahi keh rhi hai khala, thoda kam karo ye drinking, din mein 1 peg tak theek hai par is tarah sari raat peena acha nahi hai yar" Durrani bhi shaheer ko samjhate hue kehta hai "Tumhare aage tumhari puri life parhi hai, aise kab tak chalega"

Shaheer ko to jaise kuch sunayi hi nahi de rha tha, unki baato ko unsuna kar ke chup chap khana khane lagta hai. Ye lagbag har din hota tha, dinner k time ya breakfast pe kashifa khala zarur samjhane ki koshish karti thi shaheer ko aur shaheer ya to chup chap sunta ya fir "Ji khala" bol k chup ho jata tha.

Shaheer ki ye halat dekh kar khala ko bhi boht dukh hota tha. Uske haatho me pala bada tha shaheer, uske liye uske bete jaisa tha ya fir bete se bhi barh kar. Shaheer aur Fareeha k parwarish ki wajah se usne kabhi shadi hi nahi ki dubara. Aur ab shaheer ka ye haal unse dekha nahi jaa rha tha.

Khair dinner k baad dono chhat pe chale gaye, Durrani apne sath bottle le ke aya tha sharab k, wohh le ke chhat pe chale gaye dono. Jahan sofe lage hue the aur table bhi. Shaheer aur durrani waha beth k peg banana shuru karte hai.

"Aaj fir wahi hua ?" Durrani aik sip le kar shaheer se poochta hai.

"Haan yar aaj graveyard me tha phir se dikhi mujhe" shaheer ciggerate jala k aik kash maar kar kehta hai "Tang aa gaya hu is zindagi se yar durru, agar aisa hi raha to ya mein khud ko maar dunga ya pagal ho jaunga"

"Chup kar yar bakwas baatein na kar" Durrani thora ghussa ho k kehta hai "Yar mujhe tum ijazat nahi dete ho, warna mein hi usey dhoond leta, qasam de k roka hua hai tum ne mujhe"

"nahi durru agar ana hua usey to khud aa jayegi warna usey dhoondna hota to me na dhoondta ?" shaheer aik sip le ke kehta hai "Mujh me himmat nahi hai usey face karne ki, usko thukraya tha meine us waqt aur usne mujhe jis haal me dekha tha uske baad konsa moon le ke usse milunga ?"

"To ye sab kab tak chalega shaheer ?" durrani usse kehta hai "aise to tum ghut ghut k mar jaoge yar"

"Shayad tab usey taras aa jaye mujh per" shaheer nashe me choor aankhein band kar ke kehta hai "zindagi me na sahi marne k baad to mere paas ayegi shayad, zindagi me meri muhabbat mujhe na mili to kya hua shayad marne k baad to meri muhabbat mere paas hogi" shaheer behki behki baatein karne laga tha.

"Bas kar yar behki behki baatein shuru kar deta hai tu" durrani kehta hai "meri dua hai k wohh jald az jald wapas aa jaye aur tumhari muhabbat kamyab ho"

"Aur tum ? Tumhare muhabbat ka kya ?" Shaheer aik peg banate hue sawal uski taraf uchala "wohh puri zindagi adhuri hi rahegi ?"

Shaheer har baar usse poochta tha aur har bar durrani ye baat ghuma deta tha. Is baat se hamesha bhaagta tha durrani. Usko hamesha dar lagta tha apne maazi ki yaado ko cherhne me, kyunke usko pata tha k agar aik bar usne maazi ki yaado ko taza kiya to uske zakham bharne me boht waqt lagna hai. Isliye wohh chup chap sharab peene lagta hai.

"Yar business ki sunao apne kaise chal rha hai ?" shaheer k sawal ko ansuna kar ke durrani poochta hai.

"Yara durru tum bhi bade ustaad bande ho, mere zakhmo ko zarur khuredte ho par jab tumse tumhare haal poochu to baat ghuma dete ho, mere ghumo ko baantte ho per apne ghum nahi baantte, ye kaha ki dosti hai yar ?"

"Aisi baat nahi hai shaheer, bas darta hu apne mazi se, meri mazi mein mere nakamio k siva kuch nahi hai, bas un purane zakhmo ko taza nahi karna chahta"

"Dekho yar mujhe tumne hi sikhaya hai k ghumo ko baantne se hi kam hote hai aur mujhe bataoge to shayad me koi rasta nikalu, bhabi ko dhoondne me tumhari madad kar saku kya pata ?"

"Nahi shaheer wohh itni door jaa chuki hai ab usey dhoondna mushkil hai" durrani aik gehra saans le ke kehta hai.

"Kyu aise kaha jaa chuki hai ?"

"Wohh ab is dunya me nahi rahi" durrani ye kehne k baad glass uthata hai aur pura peg khatm kar leta hai.
 
World's Worst Criminal
297
735
93

Bada emotional update hai
Ghatna to kuch samajh mai nahi ara hai. Shaheer use chahta hai par dhundta nahi. Kahi use kuch ho jai to ? Sale wada to liya tha apni bapu se ke uski raksha karega. Ab durru ko bhi fasa liya, do bewda ek ho gaya pura story tornado ki bajay, pani fer diya 😅
Lagta hai balti or tissue paper ready rakhna parega
 
Top