Incest Aashiqui 2 ( A Saga of Thriller, Hate, Love, Romance, Friendship, Betrayel and Revenge )continue

Dunya badi Benchot Hans k Khaye meine Zakham
Moderator
3,251
6,106
143
Nice update durru bhai

Phele to durru bhai is shaheer ki bemari ko dur karo bechare bache ko dara diya..

Aur ye durrani dekhte hen ke kese fareeha ko shaheer ke pas lata he ...
Aur mujhe lagta he ke shaheer ki gaari se takrane wali aliya ho sakti he us ke alawa aur koyi dusri story men nazar nahi aati..
Shaheer ki bimari door hogi agle 4/5 updates mein :dost:

Durrani kya karta hai aur uska kya result hota hai ye aage pata chalega :D

Baki dekhte hai next update se k takrane wali kon hai :D

Sath bane rahe :hug:
 
Well-known member
1,131
1,461
143
Update 11

Ye sunte hi shaheer k chehre ka rang badal gaya aur ye baat Hashir ne bhi notice kar liya tha. Shaheer dheere dheere awaz ki taraf dekhta hai kamre me aik chair pe fareeha bethi huyi thi. Ye dekhte hi shaheer k aankhein nam ho gyi.

"Tum thoda intezar karti mera to zarur hota aisa, per tumne shadi kar li" shaheer nam aankho se bhaari awaz me kehta hai.

"Tumne dair kar di thi aane mein" Fareeha kehti hai.

"Ab bhi dair nahi hua, aa jao na tum wapas, kabhi tumhein apne nazro se door nahi karunga, hamesha apne seene se lagaye rakhunga, bas laut aao tum aik bar" Shaheer rote hue bol rha tha aur uth k fareeha ki taraf jaa rha tha.

Fareeha k nazdeek pohonch k usne apne baazu se aankho me aaye ansu saaf ki, aur phir jab samne dekha to fareeha nahi thi. Shaheer besakhta rone laga aur wahi dozaanu gir gaya aur cheekh cheekh k rone laga.

Ye dekh kar hashir ko dar bhi lag rha tha aur hairan bhi tha. Magar woh himmat jutha kar shaheer ki taraf aya. Aur shaheer k kandhe pe haath rakha, shaheer ne sar utha k usko dekha aur uske gaale lag k rone laga. Hashir ko kuch samajh nahi aa rha tha k kya kare, rote rote shaheer nidhaal ho gaya tha aur aansu behne band ho gaye the.

Tab woh uthta hai aur chup chap room se bahar chala jata hai. Hashir hairan pareshan usko jata hua dekhta hai aur fir bed pe aa ke letta hai. Aur shaheer k bare me sochne laga.

"Ye bhaiya ko achanak kya ho gaya, mujhse baat karte karte achanak kisi aur se baatein karne lage jo yaha hai hi nahi, kahi is ghar me bhoot to nahi"

Yehi soch k usko dar lagta hai aur woh dair raat tk dar k maare so nahi pata hai aur pata nahi raat k kis peher usko neend aa jati hai. Dusri taraf shaheer apn room me jaate hi bottle khol k neat hi peene lagta hai. Pata nahi aaj kuch ziada hi toot gaya tha woh.

Aur peete peete sofe pe hi so jata hai. Next day office k time uthta hai aur fresh ho ke neeche ata hai. Break fast k baad khala ko bata k jata hai k woh lunch k time ayega aur Hashir ko shopping pe le jayga, to jab hashir uthe to usey woh nashta kara de.

"Khala kya is ghar me bhoot bhi rehte hai ?" Nashta karte hue badi Masoomiyat k sath Hashir khala se poochta hai.

"Nahi to beta tumhein aisa kyu lagta hai ?"

"Woh kal raat ko bhaiya mere sath baat kar rhe the achanak chair ki taraf dekh k kisi se baat karne lage aur fir achanak rone lag gaye, mujhe boht dar lag rha tha, woh kisse baat kar rhe the fir ?"

Khala samajh gayi thi ki raat ko dubara shaheer ko fareeha dikhi hogi. Fir woh hashir se kehti hai "Beta unhein aik bimari hai is wajah se kabhi kabhi aisa hota hai, tum daro mat koi bhoot voot nahi is ghar me"

Khair khala hashir ko samjhati hai aur woh bhi fir chup chap nashta karne lagta hai aur uske baad tv pe cartoon dekhne lagta hai. Dusri taraf shaheer office jata hai aur har bar ki tarah aaj bhi ziada kisi se baat nahi karta aur Gm keh k apne office me ghuss jata hai. Uske baad lunch time tak busy rehta hai aur fir lunch time ghar k liye nikalta hai.

Aur jab ghar pohonchta hai to lunch lag rha tha table pe, aur hashir bhi wahi tha lounge mein. shaheer usse milta hai, wohh shaheer se thoda hichkicha rha tha raat k baad. Aur ye shaheer bhi notice karta hai aur samajh jata hai k aisa kyu kar rha hai wohh.

Kair fir sab lunch karte hai. Uske baad Shaheer hashir ko le ke shopping k liye jata hai aur uske liye dresses aur baki cheezein leta hai aur fir aik ache school me uski admission bhi kara deta hai aur kal se usne school jana tha.

"To durru miya ab kya irada hai ? Ab kaise help karoge shaheer ki ?" Abdul cgrt peete hue apne samne bethe Durrani se kehta hai.

"Yara kuch samajh nahi aa rha mujhe, shaheer keh rha hai usne shadi kar li hai, aur mera zehen ye manne ko tayar nahi k woh kisi aur se shadi kar sakti hai" Durrani apne hi socho me ghum sharab ki jaam lete hue kehta hai.

"Fir kya irada hai ? Info nikale ?" Abdul kehta hai.

"Nahi nahi info nikalna hota woh khud nikal leta, usko sab kuch pata hai k fareeha kaha rehti hai, kya kar rhi hai" Durrani naya peg banate hue kehta hai "kuch aisa karna parhega jisse Fareeha khud aye shaheer k paas"

"Aisa kya karoge tum ?"

"Sochte hai yar, filhal to mein apne business k silsile mein bahar jaa rha hu, next kuch month bot busy rehne wala hu, shayad pakistan bhi na jaa pau shaheer se milne"

"Aaj phir tu aayi nahi Yaad teri ayi thi

Bewajah hi Bewafa se bepanah umeed jo lagayi thi

Aaj phir tu ek gumaan Aaj phir tu Shaayri

Socha tha tu aayegi torh k woh rasmein saari dunya ki riwaiyti

But God dammit girl aaj fir tu aayi nahi

Yaad teri aayi thi"

Radio pe gana laga hua tha, aur aaj mausam bhi kuch theek nahi tha, shaheer gaane ki feel lete hue driving kar ke office se ghar ki taraf aa rha tha, aaj thoda late bhi ho gya tha office mein. Barish bhi dheere dheere tezz ho rha tha aur andhera bhi chaaya hua tha.

Mahine se ziada ho gaya tha Hashir ko uske ghar shift hue aur woh ab waha settle ho gaya tha. Khair Shaheer drive karte hue jaa rha tha normal speed mein, tabhi koi achanak uske gadi k samne aya aur shaheer ne fauran break lagaya magar barish ki wajah se road slippery tha to gaadi rukte rukte jaa ke dheere us insan se takrai aur woh neeche gir gayi.

Shaheer jaldi se gadi se utarta hai aur bhaag k us insan k paas jaata hai, gadi k headlights lage hue the, jab shaheer ne us insan k chehre ki taraf dekha to usko shock laga.
Kaun niche gir gayi ab shaheer ke sath ho raha hai sabko lao help karo fir chidiya furre
 
Dunya badi Benchot Hans k Khaye meine Zakham
Moderator
3,251
6,106
143
Update 12

Shaheer jaldi se gadi se utarta hai aur bhaag k us insan k paas jaata hai, gadi k headlights lage hue the, jab shaheer ne us insan k chehre ki taraf dekha to usko shock laga.

Kyunke road pe jo thi woh koi aur nahi Aliya thi aur woh behosh ho chuki thi. Shaheer jaldi se usko uthata hai aur gadi k pichle seat pe sulata hai aur gadi start kar ke aage badhata hai.

Shaheer soch rha tha "kafi din se to Aliya office bhi nahi ayi thi aur uske dost ne leave li thi uske liye ye bol ke k woh apne ghar gayi hai fir ye yaha kya kar rhi thi. Aur isne sucide ki koshish kyu ki ? Ya shayad ye accident ho ? Per itni raat ko achanak road kyu cross karegi aur jis tarah woh road k beech ayi thi isse to yehi lagta k isne sucide attempt kiya. Ab ye to ye khud hi bayayegi k kya chakkar hai"

Shaheer raaste me hi apne personal doctor ko call kar ke ghar bulata hai kyunke accident koi bada nahi tha boht aram se gadi jaa ke takraya tha Aliya se aur wohh behosh ho gayi thi. Dekhne se koi chot bhi nahi ayi thi ziada. Khair ghar pohonch k gadi park karta hai aur jaldi se Aliya ko gaud me uthata hai aur andar bhaagta hai. Fir usey le k Fareeha k room me jata aur bed pe sula deta hai. Kashifa khala bhi dekh chuki thi aur waha aa gyi thi. Shaheer ne dekha k Aliya k maathe pe thoda zakham tha, shaheer first aid kit nikalta aur detol sw uski safai karta aur patti karta uspe.

Tab tak doctor bhi aa jata hai aur woh Aliya ko check karta hai. Kuch dair check karne k baad aik injection lagata hai usey. Aur fir shaheer k sath bahar ata hai. Shaheer khala ko wahi rukne ko bolta hai Aliya k paas.

"Shaheer woh 1 ghante me hosh me aa jayegi, asal me woh kamzori ki wajah se behosh huyi hai, lagta hai woh kuch khaa nahi rahi hai aaj kal, is wajah se kamzor huyi hai. Acha yehi hoga k aap usey fruits aur juice waghera pilaye taake usme thodi energy aaye, baki meine med likh diye hai ye mangwaye uske liye"

Fir doctor chala jata hai aur shaheer neeche lounge me ata hai. Hashir apne room me tha aur school k kaam kar rha tha usko pata nahi tha k bahar kya kya ho rha hai. Khair kuch dair me dinner laga diya jata hai, shaheer hashir ko bula k lata hai aur fir woh mil ke dinner karne lagte hai. Dinner k dauran shaheer hashir se uske school k bare me pooch rha tha aur idhar udhar ki baat kar rha tha.

Hashir k shaheer k life me aane k baad kafi kuch change ho gaya tha. Usne sharab peena bhi kam kar diya tha, jahan pehle woh 1 2 bottle aik raat ko khatm karta ab 2 3 peg hi peeta tha. Aur weekend pe dono football khelte the. Aur baatein karna start kar diya tha, jahan pehle woh bas zarurat k time baat karta tha ab waise bhi gappey lagata tha. Kafi positivity aayi thi uske life mein Hashir k aane k baad aur woh khud bhi ye feel karta tha.

Khair dinner k baad bhi kuch dair shaheer hashir k sath beth k tv dekhta hai aur fir hashir sone k liye jata hai kyunke usne subah jaldi uthna tha school k liye. Shaheer tv dekh rha tha tabhi aik mulazima aa ke batati hai k Aliya ko hosh aa gaya.

"Khala aap juice aur fruits bhej dein kisi k haatho" shaheer room mein enter hote hue Kashifa khala se kehta hai.

Kashifa khala uth k chali jaati hai shaheer jaa ke bed k paas chair pe bethta hai. Room me khamoshi chhaayi huyi thi. Shaheer Aliya ki taraf dekhte hue kuch soch rha tha. Aur aliya bhi apne socho me ghum thi. Shaheer soch rha tha usse poochna chahiye ya nahi. Tabhi aik mulaazima kuch fruits aur juice tray me rakh k andar ayi aur tray bed k paas table pe rakh k chali gayi.

Shaheer ne fruits wala plate Aliya ko diya, Aliya bed se tek lagae bethti hai aur fruits khane lagti hai. Uska khane ka man to nahi tha par shaheer ko manah bhi nahi kar sakti thi isliye chup chap khane lagi. Kuch fruits khati hai aur plate wapas table pe rakhti hai, tab shaheer juice glass me daal k usko deta hai. Aur fir Aliya juice peeti hai par woh bhi pura nahi. Ab tak dono me khamoshi hi thi kisi ne kuch nahi kaha tha.

"Kya mein jaan sakta hu k tum sucide karne ki koshish kyu ki ?" Finally shaheer chupi todta hai.

"Nahi sir aisi koi baat nahi, mein suicide nahi kar rhi thi" aliya nazrein churati huyi kehti hai.

"Dekho mujhe bhi pata hai aur tumhein bhi, tumne sucide karne ki koshish ki, kuch to baat hai jiski wajah se tum kuch khaa nahi rhi ho aaj kal, aur itni kamzor ho gayi ho, fir achanak tum gadi k samne aayi thi aaj intentionally. To ye accident nahi tha. Ab agar tum mujhe apna problem batao to shayad mein tumhari kuch help kar sakta hu"

Shaheer itna keh kar chup ho jata hai, shaheer intezar kar rha tha k woh kuch bole, per woh chup chap aage dekh rhi thi aur kuch soch rhi thi. Shaheer ko laga woh batana nahi chahti isliye woh uthte hue kehta hai.

"Chalo koi masla nahi agar tum batana nahi chahti to, mein chalta hu tum aram karo aur fruits kha lena"

"Bethiya sir, mein batati hu" shaheer ko uthte hue dekh kar pehli bar uske moun se alfaz nikle.

Shaheer wapas beth jata hai aur Aliya ki taraf dekhne lagta hai. Aliya kuch dair sochne k baad apni baat shuru karti hai.

"Afaq naam hai uska, army officer hai, abhi lieutenent hai, hum dono 2 saal se aik dusre ko pasand karte hai, woh mujhse shadi karna chahta hai aur usne rishta bhi bheja tha mere ghar par mere ghar walo ne rishte se manah kar diya. Ab woh log kahi aur mera rishta karana chah rhe hai, mere kuch samajh nahi aa rha tha isliye aaj meine ye faisla liya" Aliya sar jhukaye shaheer se kehti hai.

"Agar woh army officer hai, to fir masla kya hai tumhari family ko usse ?" Shaheer hairangi se usse poochta hai.

"Uska army mein hona hi to masla hai sab se bada"

"Kya matlab ?"

"Meri badi behan bhi aik army officer ko pasand karti thi, shadi k din mere barat ki jagah mere behnoi ka janaza ghar aya tha" ye kehte kehte uske aankho me aansu aa gye unko ponch kar kehti hai "isliye mere ghar wale sar gaye hai k kahi dubara aisa na ho fir"

"Kahi tum .... Tum konse city se ho ?" Shaheer kuch soch kar usse poochta hai.

"Mein #### city se hu aur jo aap soch rhe hai waisa hi hai"

"Matlab tum Fatima ki chhoti behan ho ?"

"Ji sir fatima meri badi behan hai"

Shaheer sara maajra samajh chuka tha, kuch dair waha uske paas beth k sochta rehta hai aur fir faisla leta hai k usne kya karna hai.

"Abhi tum aram karo, kal hum tumhare ghar jaayenge"

"Ye kya keh rhe hai sir aap ?"

"Ji hum kal tumhare ghar jaayenge aur mein tumhare family walo se baat karunga"

Fir shaheer uth k apne room jata hai, aur woh bilal aur fatima k bare me sochne lagta hai. Fir usey Fareeha ka woh khath yaad aata hai jisme usne bataya tha k woh Fatima hi thi jisne usey samjhaya tha aur usey uske muhabbat ka ehsaas karaya tha. Yehi sab sochte sochte woh so jata hai.
 
expectations
22,435
14,672

Achcha to ye wo hai kisi update me bola tha kuch jana pahchana chehra hai chalo uski problem khatam karo agle update me
 
Top