Incest Aashiqui 2 ( A Saga of Thriller, Hate, Love, Romance, Friendship, Betrayel and Revenge )continue

Dunya badi Benchot Hans k Khaye meine Zakham
Moderator
3,251
6,107
143
Update 13

Subah office time pe shaheer uthta hai aur fresh ho ke neeche aata hai. Tab tak Hashir bhi school k liye ready ho ke neeche ata hai hall mein. Aur breakfast laga diya jata hai. Tab Aliya bhi ready ho ke neeche aane lagti hai. Aaj fir usne Fareeha k kapde pehne hue the, shaheer usko dekhta hai to usko fareeha ki yaad aati hai aur usey aisa lagta hai jaise fareeha neeche aa rhi hai seerhiyo se. Khair woh jaldi se khud ko sambhalta hai aur break fast karne lagta hai.

"Sir fir kab jaa rhe hai hum mere city ?" Aliya breakfast table pe unko join karte hue kehti hai.

"Bas breakfast kar ke niklenge yaha se, kyunke aaj hi wapas aana hai meine" Shaheer nashta karte hue jawab deta hai.

"Kaha jaa rhe ho bhaiya aap log ?" Tabhi Hashir shaheer se poochta hai.

"Kahi nahi beta bas aik kaam hai uske liye Aliya k ghar jaana hai, aaj hi wapas aaunga mein"

Fir sab chup chap breakfast karne lagte hai. Breakfast karte hi Hashir nikal jata hai school k liye. Hashir ghar k hi gadi se jata tha school aur driver tha jisey usey school chorhna tha aur lana tha. Khair uske jaane k baad shaheer khala ko batata hai aur bahar ata hai. Uske peeche peeche Aliya bhi bahar aati hai.

Shaheer gadi Aliya k city k raste ki taraf leta hai aur chup chap driving karta hai. Dono apne hi socho mein ghum the. Aliya soch rhi thi k kya shaheer ki baat maanenge uske ghar wale. Kya shaheer unhein convince kar payega ya nahi. Aur dusri taraf shaheer ko woh din yaad aa rha hai jab Bilal ne usey call kiya tha apne shadi pe bulane k liye.

"Bhai 2 din baad shadi hai meri aur tune aana hai pakka, mujhe koi bahana nahi chahiye" Bilal call pe shaheer se keh rha tha "Aur haan Fareeha ka koi contact number hai to woh bhi de do, fatima usey bhi bulana chaah rhi hai"

"Yar bilal mein koshish karunga aane ki, confirm nahi keh sakta" Shaheer usse kehta hai "Aur uska koi contact nahi hai mere sath aur i dont think k woh ayegi"

"Chalo woh nahi to tum zarur ana yar" Bilal kehta hai "humare sare dost aane wale hai, sarkash, vicky, saad sab"

"Yara koshish karunga aane ki" Shaheer kehta hai "Waise tu bata kaha hai ? Ghar pe hi hai ? Kyunke tere background me awqzein nahi aa rhi shadi k tayari ki"

"Arey nahi yar, mujhe 2 din pehle hi orders aaye the report karne k liye to mein base aya tha waha se ab aik operation k liye waziristan aya hu"

"Kya baat kar rha hai tu ? 2 din baad teri shadi hai aur tu operation zone mein hai"

"Yar tujhe pata hai SSG ka, kabhi bhi bula lete hai, aur mein khud aya hu, shadi k din pohonch jaaunga ghar yar" Bilal kehta hai "3 villages ko clear kar liya hai humne aur control sambhal liya hai, ab kuch terrorists aage k villages mein chhup gaye hai to kal raat tk i think operation pura ho jaayega aur parso shadi k din mein ghar pohonch jaaunga"

"Yara fir bhi tujhe aisa nahi karna chahiye tha, tere paas option tha shadi ka bata deta, teri jagah koi aur officer jata"

"Yar excuses banane k liye to join nahi kiya tha army baki qismat mein jo bhi likha hai wahi hoga" Bilal kehta hai "Chal yar meine tujhe invite karne k liye call kiya tha ab seedha shadi pe hi mulaqat hogi"

Ye Aakhri convo thi shaheer aur Bilal k darmiyan, iske baad shaheer ko bilal ki khabar mili k woh shaheed ho gya hai us operation mein. Shaheer ka dil udaas sa ho gaya tha ye sab sochne k baad. Usne side k sheeshe neeche kiye aur jaib se cgrt nikal k jalaya aur peene laga.

Dusri taraf Aliya bhi apne khayalo mein ghum thi aur soch rhi thi k ye Shaheer uski help kyu karna chah rha hai. Iske peeche kya maqsad hoga iska. Aur kya woh convince kar payega ya nahi mere ghar walo ko. Aliya inhi socho me ghum thi.

Khair dono apne socho me ghum Aliya k city pohonch jaate hai. Shaheer ko Aliya k ghar ka rasta pata tha kyunke woh pehle bhi aa chuka tha unke ghar ya yu kahe Bilal k ghar. Kyunke bilal ka ghar aur Aliya ka ghar aik sath hi hai. Fir bhi Aliya thodi guide kar rhi thi aur fir kuch hi dair me gadi Aliya k ghar k bahar pohonch jaati hai. Shaheer gadi park karta hai aur gadi se utarta hai.

Aliya bhi gadi se utarti hai aur thodi nervous thi, fir gate pe bell bajati hai aur kuch dair me aik larka aa ke gate kholta hai aur woh andar jaane lagti hai aur shaheer ko bhi bolti hai k andar aaye. Fir dono andar chale jaate hai. Hall mein Aliya ki puri family bethi huyi thi aur aliya ko dekh kar usse milne k liye khade hote hai.

Aik aik kar ke sab usse milte hai, uske papa, mummy aur dadi. Shaheer k liye thoda awkward moment tha ye. Shaheer waha khada sab ko dekh rha tha aur Aliya k ghar wale bhi Aliya se milne k baad shaheer ko dekh rhe the aur soch rhe the ye kon hai aur yaha kya kar rha hai.

"Ye mere boss hai Shaheer aur Bilal bhai aur Fatima api ke boht ache dost" finally Aliya shaheer ka introduction karati hai apne family se.

"Hmm yaad aya tum pehle bhi aye the ghar" Aliya k papa kehte hai aur fir thoda udaas ho jate hai kyunke Shaheer Bilal k death pe hi aya tha yay u kahein uske shadi wale din.

Aur fir sab hall mein beth jaate hai aur aik dusre ki haal chal poochte hai. Shaheer k samajh mein nahi aa rha tha k baat kaha se shuru karein. Akhir kar usne bolna shuru kiya.

"Dekhiye uncle aunty, mein aap k family se to nahi hu, magar Fatima aur Bilal mere boht ache dost the, hum logo ka kafi bar get together hua tha aur hum ne kafi tour sath kiye bhi the. Isliye Aliya ko mein apni chhoti behan jaisi maanta hu."

Shaheer ye kehne k baad thoda chup hota hai aur unka reaction dekhne lagta hai. Sab usko ghaur se sun rhe the aur samajhne ki koshish kar rhe the k ye aisa kyu bol rha hai. Shaheer dubara bolna start karta hai.

"Mein kafi time se note kar rha tha Aliya office nahi aa rhi thi, jab meine iske dost se poocha k kya masla hai to usne bataya apne ghar gayi hai, fir kal achanak ye mere gadi k aage ayi aur iske sath aik minor accident hua mera. Ye behosh ho gayi thi jab mein isey apne ghar le gaya aur doctor se check up karwaya to doctor ne bataya k ye kafi dino se kuch khaa nahi rhi aur kafi stress le rhi hai. Stress aur kamzori ki wajah se ye behosh ho gayi thi, agar ye aise hi stress leti rahi to shayad ye pagal ho sakti hai"

Shaheer ki baat sun k sab shock ho jaate hai aur sab Aliya ki taraf dekhne lagte hai. Jo sar jhukaye bethi thi. Abhi koi Aliya se kuch poochta shaheer ne dubara bolna start kiya aur sab uski taraf mutawajjuh hue.

"Jab meine isse reason poocha in sab ka to isne mujhe apne muhabbat k bare me bataya aur ye bhi bataya k aap log nahi maan rhe ho aur kahi aur rishta karwane wale hai. Mujhe ye cheez samajh nahi aa rhi hai k aap jaise parhe likhe log kaise aisa soch sakte hai. Mana aap logo k sath aik haadsa hua hai magar fir bhi jaan dena aur lena to uperwale k haath mein hai na" Shaheer aakhri line bolte bolte Aliya k papa ki taraf mukhatib hua.
 
Dunya badi Benchot Hans k Khaye meine Zakham
Moderator
3,251
6,107
143
Update 14

"Beta hum ne apne aik beti ko to kho diya magar hum nahi chahte k humari dusri beti bhi uski tarah pagal ho jaye" Aliya k papa udaasi bhare lehje mein kehta hai "mere jeevan bhar ki punji bas meri yehi dono betiya hai, aik ko to kho diya dusre ko khone se darta hu mein. Kal ko agar mein iski shadi karata hu aur iska husband bhi shaheed hota hai uperwala na kare, to iska haal bhi waisa hi ho jayega"

Shaheer ko ye baat thoda atpata laga jab Aliya k papa ne bola k aik beti ko kho diya, woh pagal ho gayi. Uske samajh me nahi aa rha tha k fatima k bare me baat ho rhi hai, kya waqi me woh pagal ho gayi hai. Shaheer kuch dair sochne k baad kehta hai.

"Uncle mujhe maloom hai k aap ka darna jayiz hai, aap logo k zindagi mein boht bada haadsa hua hai, magar uncle aap khud sochiye kya aap aik army officer se shadi na kara ke apni beti ki shadi kisi dusre profession wale insan se karate hai to uske zindagi ki kya guarantee hai ? Chaliye maan lete hai aap iski shadi kisi engineer se karate hai, to kya guarantee hai k woh nahi mar sakta ? Kya pata kisi construction site pe kisi haadse ki wajah se uski maut ho jaye ya fir kisi aur bande se karaye to accident ya fir kisi aur haadse se uski maut ho jaaye. Uncle jiske qismat me jo likha hoga woh ho kar rahega, uske liye zaruri nahi k banda army me ho ya police mein ho. Maut agar qismat me likhi hogi to woh ghar k andar bethe bethe bhi aayegi."

"Per beta humari pareshani ka kya ? Agar Aliya ki shadi hum us army officer se karate hai, to sari zindagi hum pareshan rahenge k kahi usko kuch ho na jaaye."

"Uncle aap ye bhi to sochiye na k aap ki beti kitni khush rahegi uske sath ? Beshak uski job me zindagi ka koi bharosa nahi magar uncle jitni bhi zindagi hogi uski tab tak to aap ki beti khush rahegi na"

"aur fir uske baad kya ? Uske baad meri pehli beti jaisi pagal ho jayegi ? Ye bardasht kar lenge hum ?"

"Uncle jis situation, jis time Bilal shaheed hua tha, woh alag tha aur har insan aik jaisa nahi hota."

"Beta tum nahi samjhoge ye dard tumhein shayad kisi k judai ka dard pata nahi hai. Kya halat hoti hai kisi k chorh jaane se ye meri beti ne saha hai, humey pta hai"

Ye sunte hi shaheer ka sar jhuk jata hai aur usey Fareeha ki yaad aane lagi. Woh cheekh cheekh kar bolna chahta tha, apne feelings batana chahta tha magar woh chup chap apna ghum seh gaya.

"Per beta shukriya humey samjhane k liye aur kafi had tk tumhari baat samajh aa gyi hai, humey humari beti ki khushiya azeez hai, baki jaan lena aur dena to uper wale ke haath mein hai. Hum aapas mein mashwara karenge aur Afaq k ghar walo se baat karenge. Aik baar fir boht boht shukriya tumhara humey samjhane k liye"

Ye sunte hi Aliya k chehre pe chamak aa gyi. Shaheer bhi muskura kar thanks bolta hai Aliya k papa se. Uske baad thodi idhar udhar ki baat karte hai tab tak chai ban chuka tha aur chai serve karte hai shaheer aur bakio ko. Fir sab chai peene lagte hai.

"Agar aap logo ko bura na lage to kya mein Fatima se mil sakta hu ?" Chai ka cup table pe rakhte hue Shaheer kehta hai.

"Beta woh to yaha nahi rehti" Aliya ki ammi shaheer se kehti hai.

"Kya matlab ? Fir kaha rehti hai ? Aur usey hua kya hai, uncle aap keh rhe the k hum ne apne beti ko kho diya ? Kya matlab tha uska ?" Shaheer hairan ho k poochta hai.

"Woh Bilal k ghar me rehti hai aur usey kya hua hai ye jab tum usey miloge to samajh jaaoge" aliya k papa sar jhukaye kehte hai "Aliya beta shaheer ko le ke jaao aur Fatima se mila laao"

Fir shaheer uthta hai aur uske sath Aliya bhi. Aliya samne chal rhi thi aur shaheer uske peeche peeche chal rha tha, uske dmaagh me yehi ghoom rha tha k Fatima ko kya hua hoga. Gate se bahar nikal ke agle gate k samne jaa ke Aliya bell bajati hai aur fir aik aadmi aa ke gate kholta hai ye Bilal k baba the. Shaheer ko jante the woh, shaheer unse milta hai aur fir sab andar aate hai. Andar Bilal ki ammi bhi thi, shaheer unse salam dua karta hai aur hall mein idhar udhar nazrein ghumata hai.

Samne hall mein bilal ki uniform mein aik tasweer lagi huyi thi, shaheer usko dekh k muskurata hai aur sochta hai k kaash woh zinda hota to aaj halat aise na hote. Dono gharo mein kitni khushi hoti. Khair haal chaal poochne k baad Aliya bilal k family walo ko batati hai k Shaheer yaha Fatima se milne aaya hai.

"Beta mujhe nahi lagta aaj woh kisi se milegi, subah nashta bhi nahi kiya hai usne, uski tabyat kuch ziada hi kharb thi aaj" Bilal ki ammi Aliya se kehti hai.

"Aunty koi masla nahi mein bas usko dekhna chahta hu, agar uski tabyat ziada kharb huyi to me wapas aa jaunga bina baat kiye, aap log tension na le" shaheer kehta hai.

Shaheer ko itna to andaza ho gaya tha k woh shayad mentally disturb hogi but usey pata nahi tha k kitna disturb hogi woh mentally. Aliya usko le ke aik room ki taraf jaati hai, aur fir darwaza kholti hai aur shaheer ko andar bhej deti hai. Shaheer jab kamre mein ghusta hai aur bed ki taraf dekhta hai to hairan ho jata hai.

Kyunke Fatima dulhan k jode mein bed pe leti huyi thi, aur room ko ab bhi sajaya hua tha jaise aaj uski shadi ho. Fatima kafi kamzor lag rhi thi, uske aankho k neeche kale dhabbe the, aur gaalo pe aansu k nishaan the. Shaheer kashmakash mein tha k woh ab kya kare.

"Fatima" shaheer k moun se sirf uska naam hi nikla.

Awaz sunte hi Fatima ankhein kholti hai aur shaheer ki taraf dekhti hai. Woh hairan hoti hai aur uske chehre pe khushi ki jhalak aa jati hai aur woh daurhte hue shaheer ki taraf aati hai aur kehti hai.

"Bilal mujhe pta tha tum aaoge, mujhe pata tha tum mujhe chorh kar nahi jaa sakte, dekho tum aa gye"

Shaheer hairan pareshan tha k ye kya ho rha hai. Fatima uske paas pohonchti hai aur achanak uske chere se woh khushi ghayab ho jaati hai aur aankho se aansu behne shuru hote hai.

"Shaheer tum ?" Fatima shaheer k samne aa ke rote hue kehti hai "ttt...t..tum bilal nahi ho, bilal nahi aya wapas, mujhe chorh kar chala gaya woh, dekho na shaheer usne mujhse wada kiya tha, k mein shadi k din aunga aur woh ab tk nahi aya"

Rote hue Fatima shaheer se kehti hai aur apna sar shaheer k seene pe rakhti hai aur bilakh bilakh kar rone lagti hai. Uski ye haalat dekh k shaheer k aankho mein bhi aansu aa jate hai. Usko apna dard apna ghum yaad ata hai. Woh sochta tha usse ziada azziyat mein koi nahi hoga, magar aaj Fatima ki halat dekh k usko apna ghum boht chhota lag rha tha. Fatima kuch dair tk apna sar shaheer k seene pe rakh kar roti hai aur achanak usse alag hoti hai.
 
expectations
22,435
14,672

Superb update dost Aaliya ki faimly ko samjha diya aur apni purani dost Fatima se bhi mulakaat ho gayi uske dard se bada dard lekar koi ji raha ye bhi dikha diya.
 
Top