Incest Aashiqui 2 ( A Saga of Thriller, Hate, Love, Romance, Friendship, Betrayel and Revenge )continue

Dunya badi Benchot Hans k Khaye meine Zakham
Moderator
3,251
6,106
143
Bilkul galat duty duty hai kab bulawa aa jaye pata nai lekin jana hoga hi hoga bina koi sawaal kiye usko ye confirm nai tha ki marega wo kai baar meko laga mai marunga lekin bach gawa mai ye sukar hai kisi ko tata bye noi kiya noi to kisi din sach ma mar jata kauno yakin noi karta :d
Agree with you Rahul bawa :dost:
 
Dunya badi Benchot Hans k Khaye meine Zakham
Moderator
3,251
6,106
143
Well koi samjhe ya nahi samjhe durru zarur samjhega Mera keya intension hai 😁
Aur Rahi BAAT duty ki army wali zab chutti leta hai special occasion ke Liye to during vacation use bulaya nahi zata unless woh border area Mai hai to. Special mission better say black operation ke Liye special unit chose kiya zata hai 😁 woh bhi vacant hai in logo ke liye.yeh police Wala post nahi zo emergency Mai kisi ko bhi bulaya zai.
Deshvakti acha hai but blind love is dangerous in every section. Example:Hitler.
Zab kisiki death samne ho to yeh usko pata chal zata hai ab ye depend karta hai Banda conscious hai ya nahi.
[Mar to ekdin sabhi zayega to uske Liye life ko full use Karna chahye because Marne ke baad afsos nahi rahna chahye. Otherwise one will be literally in hell no matter wherever God will sent you.]
BAAT bura laga to 🙏 it's just my thoughts

Intension to khair mein samajh hi gaya tha :D baki jawab deta is post ka.

Special unit ka khud bata diya hai, ab jaise k meine pichle post mein bataya k Bilal SSG ka officer tha which is special uni/commando group. Aur inko aise hi emergency mein bulaya jata hai normal conflicts k liye nahi.

Deshbhakti mein koi limit nahi hota and specially for army officers/soldier. Waise bhi it is famous for army officers that officers with no brain :D baki samajhdar ho mazeed ispe baat nahi karunga :wink:
 
Dunya badi Benchot Hans k Khaye meine Zakham
Moderator
3,251
6,106
143
Update 17

Aliya aur Shaheer dono k aankhon mein aansu the, shaheer bas yehi soch rha tha k kya guzra hoga Fashma pe. Kaha woh apne shadi ko le ke khush thi aur kaha uski khushiya kuch hi palo mein ghum me badal gayi. Jis ghar mein uski Dholi aane wali thi usi ghar mein uske hone wale husband ka janaza aya tha wohh bhi usi din jab uski shadi thi. Ye soch k Shaheer ka jisam kaanp jata hai.

"Mujhe bhi Bilal ne call kiya tha us raat, jis raat usne ghar walo se aur Fashma se baat kiya tha" kuch dair baad shaheer bhari awaz mein kehta hai "apne shadi pe bula rha tha, aur me jana nahi nahi chahta tha kyunke fareeha k jaane k baad kisi cheez me mera dil nahi lag rha tha, us din to meine bilal ko bol diya tha mein koshish karunga, fir uske shadi k din mujhe Saad ne call kar ke subah hi bata diya k raat ko operation k dauran k Bilal shaheed ho gaya magar operation successful rha, usne apne jawano ko bachane k liye khud ki qurbani de di Granade k uper let k"

"G sir humey bhi yehi bataya gaya, k usne apne jawano aur gaau walo ko bachane k liye apni jaan ki qurbani de di, kitna bada dil tha na unka ? Apne shadi, apni jaan, apne ghar walo ki parwah kiye bina usne apni jaan de di yahan tak k jisse wohh sab se ziada muhabbat karta tha uske bare mein bhi nahi socha"

"Waqi me boht bada dil tha uska, ye sab karne k liye mazboot imaan aur bade jigre ki zarurat hoti hai aur woh sab usme the" shaheer apne khayalo mein ghum kehta hai "Uske baad se Fashma aisi hai ?"

"G sir shadi k baad to har din aise dore aate the unhein fir humne unhein kuch doctors aur psych ko dikhaya aur unke medicines se thoda theek huyi hai, ab to 2 3 hafte me aik bar dora ata hai aur woh khud ko dulhan ki tarah sajati hai aur sochti hai k bilal bhai wapas aayenge" ye kehte kehte Aliya dubara ro padi.

Iske baad dono me kuch baat nahi huyi, shaheer chup chap gadi chalata rha aur kuch hi ghanto me ghar pohonch gaye. Lunch ka time jaa chuka tha, to usne khala ko bataya unke khane k liye kuch bana de. Uska to khane ka dil nahi tha bas aliya k liye bol rha tha. Khala khana ready karne lagti hai, to shaheer apne room me chala jata hai.

Fir shaheer sharab ki bottle kholta hai aur peg bana ke peene lagta hai. Aaj had se ziada udaas tha woh aur fareeha ki boht yaad aa rhi thi usey. Kuch dair me aik mulazima ne aa ke khane k liye bulaya par usne manah kiya. Shaheer lagatar piye hi jaa rha tha. Jab had se ziada usne piya aur nidhal hua tab usko pata nahi kya soojha aur usne phone nikal ke aik number dial kiya.

"Hello" dusri taraf se Fareeha ki wahi pyari awaz ayi jiska woh dewaana tha.

"Hello kon baat kar rha hai" kisi ko kuch na bolta paa ke Fareeha ne dubara kaha.

Aaj 2 saal baad shaheer fareeha ki awaz sun rha tha. Usko aankho se lagatar aansu beh rhe the. Aur bas woh in palo ko mehsoos kar rha tha, uske awaz ko apne dil me utarna chaah rha tha. Shayad fareeha samajh gayi thi k ye shaheer hai. Woh kehti hai.

"Shaheer ? Kya tum ho ?"

Apna naam itne time baad uske moun se sun k shaheer pagal sa ho gaya. Aankho se aansu beh rhe the magar chehre pe khushi aa gyi. Magar ye khushi ziada dair theher na saki. Jab dusri taraf se aik awaz usne suna to ye khushi ghayab ho gayi.

"Fareeha yar mere kapde kaha rakhein hai meine bahar jana hai" Fareeha k background se awaz aa rhi thi, koi aadmi usse pooch rha tha.

Ye sunte hi shaheer ki khushi ghayab ho gayi. Usne call cut kiya aur ghusse se phone dewaar pe de mara. Ab usko aansuo k sath sath ghussa bhi aa rha tha. Woh apne samne pada glass dewaar pe de marta hai aur fir table pe bottles the sab neeche gira deta hai aur table utha k zameen pe marta hai. Kaanch toot rhe the aur usko zakham bhi lag rhe the, magar usey in cheezo se farq nahi parh rha tha. Woh jo cheez uske haath lag rha tha usko todh rha tha fir bhi jab ghussa shaant na hua to dewaar pe mukke marne laga aur haath zakhmi ho gaye ghar k mulazim, khala aur aliya waghera todh phodh ki awaz sun ke waha aye aur jab shaheer ka haal dekha to dar gaye. Uske haatho se khun beh rha tha aur sar se bhi khoon beh rha tha. Usne shayad sar dewaar pe mara tha ya cupboard k darwaze pe. Kamre ka bhi bura haal tha neeche farsh pe khoon beh rha tha.

Shaheer ko chakkar aane lage aur fir woh unhi toote hue kaanch k uper gir gaya aur behosh ho gaya. Jaldi se mulazim aaye aur usko utha k gadi me dala aur hospital le gaye.

Is haadse ko 1 hafta beet gaya tha, shaheer hosh me aa chuka tha magar uski halat kharb thi. Uske sar pe taankey lage hue the. Aik haath fracture tha aur seene pe sheeshe ghusne ki wajah se waha bhi zakham ziada tha. Hosh me to aa gya tha shaheer magar is 1 hafte me usne kisi se baat nahi kiya tha. Aur ajeeb baat ye thi k is aik hafte me usne fareeha ko nahi dekha tha, warna to har 2 3 din mein usey fareeha nazar aati thi.

Uska dil kuch ziada hi toot gaya tha ab. Ab tak woh khud ko dilasa deta aa rha tha k shayad Fareeha Ahmed k ghar as a friend reh rhi ho. Magar call pe baat karte hue jab usne ahmed ki awaz suna to yaqeen ho gaya k dono ne shadi kar liya hoga tabhi 2 saal se uske ghar me reh rhi hai woh. Ab shaheer me jeene ki tamanna nahi bachi thi. Usko farq nahi parh rha tha k woh jiye ya mare. Dusri taraf hospital k meeting hall mein boht se doctors bethe hue the aur bahar se aye hue kuch bade psychiatrists bhi the jinko Durrani le ke aya tha.

"Mr Durrani we are really sorry to say k agar shaheer ki halat aisi hi rahi to boht jald ya to ye pura pagal ho jayega ya fir ye mar jayega" aik doctor durrani se kehta hai.

"Doctor sahab aap log mujhe uske physical aur mental dono conditions k bare me bataye aur solution bhi bataye" Durrani sare doctors se mukhatib ho ker kehta hai.

"Dekhiya agar uske physical condition ki baat kare to woh had se ziada weak ho chuka hai, khana kam khane ki wajah se usme khoon ki bhi kami ho rhi hai, aur sharab ziada peene ki wajah se uske internal organs bhi damage ho chuke hai, agar usne drinking continue rakhi aur jis tarah pee rha is tarah hi peeta rha, to i dont think woh aik saal se ziada survive kar payega. Rahi baat solution ki to woh yehi hai, k peena bilkul band kar de aur khane pe tawajjuh de aur fruits khaye taa ke uske jism mein khoon bane" aik doctor pure detail mein durrani ko batata hai jo woh ghaur se sun rha tha.

"Sir agar hum baat kare uske mental condition ki to stress boht ziada le rha hai woh kisi baat ko lekar, aur shayad uske bare me hi sochta rehta hai sara din. Jis ki wajah se helucination bhi hota hai usko. Aur dusri baat medicines bilkul bhi nahi khaa rha hai jis wajah se mental condition aur ziada kharab hota jaa rha hai uska. Solution iska ye hai k woh stress kam le, medicines time pe le aur overthinking kam kare warna jaise k mere fellow doctor ne bataya agar aisa hi chalta rha to boht jald woh pagal ho jayega ya fir mar jayega" Psych bhi detail mein uske mental condition k bare me durrani ko batata hai.
 
expectations
22,435
14,672

Are koi Mr Durrani ko bolo fareeha ko utha laye aur Ahmad ko saaf kar de uski zindagi se ab yahi karna hoga aur koi rasta nai hai hamare pass :cry2:
 
World's Worst Criminal
297
735
93
Aur kitni bar change karwaoge tum log names :lotpot: Ye bhi Dragon k suggestion pe change kiya hai meine ab dubara change kiya to confusion barh jayega, so bardasht karo :D

Rahi baat Fashma k permanent heroine banne ki to woh aage pta chalega k woh banegi ya nahi, ye faisla meine uspe chorh diya hai :D
Oye Maine just Naam change Karne ko kaha , nam to tune hi rakha tere langot Yaar ka 🤣🤣
 
Top