Fantasy ATTITUDE (KABHI ANGEL KABHI DEVIL) (vj4u)

Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF YE JAANKAR KI RAAZ BACH GAYA HAI,MABBA EXERTION COMPETITION ME USSE SABAK SIKHANE KA FAISLA
KARTI HAI WAHIN DUSRI TARAF RAAZ ALFREEN AUR MABEL KA REBOUND KARWA DETA HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



UPDATE-91



PLANET-ELYSIAN


PLACE-RAAZ ABODE







CONGRATULATIONS MY BOY..TOH FINALLY APNE DUM PAR TUMNE YE JAGAH EARN KAR LI....I AM SO PROUD OF YOU....


mai apne ABODE se kahin baahar jaane ke liye nikalne hi waala tha ki tabhi main door se andar aate hue kahi thi ye baat FLORIN ne...

FLORIN ke saath is waqt unki wife MARIA, ALFREEN,MABEL aur saath hi MABEL ke parents mr and mrs FELLAR bhi the....

FLORIN ki baat sun maine kuch kaha nahi bas ek smile de aage badha aur pehle unke aur phir MARIA ko hug kiya....

uske baad mr and mrs FELLAR ko hello bol maine unhe baithne ke liye kaha aur un sabke saamne baith gaya....

FLORIN aur MARIA,is waqt woh dono pure ghar ko dekh rahe the aur aisa karte waqt unki aankhon me khushi saaf dikh rahi thi jisse maine bhaamp liya tha aur isiliye....


MAI-uncle,aunty,jahan tak mujhe pata hai ,har STELLAR ka ABODE ek jaisa hi hota hai,phir aap dono kya checkout kar rahe hain...???

ye ghar bhi aapke ghar ki tarah hi toh hai...!!!


meri baat sun pehle toh woh dono muskuraye aur phir...


MARIA-beta,bhale hi har STELLAR ka ABODE ek jaisa hi hota hai par har STELLAR se hume kya matlab hai...???

hume bas apne bete se matlab hai jiske ghar abhi hum aaye hue hain...

aur hum is ghar ko checkout nahi kar rahe the,balki tumhe is ghar ke har galiyare me ghumte aur sukoon se rehte hue imagine kar rahe the...


jo baat abhi MARIA ne kahi thi,woh hundred percent authentic thi jisse maine mehsoos kiya tha aur aisa feel karte waqt mujhe apne andar base emotions me ek click sa laga jisse ek strong push se dabaya maine aur phir...


MAI-jab beta keh kaha hai toh phir ye ghar sirf mera kaisa hua...???ye toh humara hua naa....


meri baat sun bas muskura diya woh sab jiske baad....


MARIA-agar wakayi tum humare bete ho toh phir tumhe hamari ek baat manani hogi....bolo,manoge....

MAI-baat mere hadh me hui toh bilkul....

MARIA-bilkul tumhari hadh me hai...

hum chahte hain ki tum breakfast,lunch aur dinner humare saath apne dusre ABODE,jahan hum rehte hain,wahan karo...

waise hamari asli chahat toh ye hai ki tum hamare saath hi raho par hume maalum hai ki tumhe akela rehna pasand hai..

isiliye saath rehna naa sahi,kamsekam saath khaana toh khaa hi sakte ho..waise bhi hamara ABODE ekdum paas hi hai...

MAI-paas nahi bhi hota toh fark nahi padta aunty....done....


jahan meri baat sun FLORIN aur MARIA ke chehre ki chamak aur Khushi double ho gayi thi wahin mere done bolne ke baad....


MR FELLAR-hume bhi tumhe thanks kehna hai RAAZ....najaane kitne dino se humne hamari beti ko dil se haste aur shaharat karte hue nahi dekha tha...

hume pata tha ki aisa uske aur ALFREEN ke beech hui misunderstanding aur baat band hone ki wajah se hua tha..

reason hum jaante nahi the aur interfere karna hum chahte nahi the...

but aaj jab MABEL FORBIDDEN FOREST se wapas aayi toh uske chehre par pehle waali chamak wapas aa gayi thi jisse hume andaza ho gaya ki zaroor uski aur ALFREEN ke beech sab thik ho gaya hai...

aur jab is baare me humne usse pucha toh usne naa sirf apne aur ALFREEN ke rebound ki confirmation di balki saath hi usne ye bhi bataya ki aisa tumhari wajah se ho paaya hai..

tumne hi in dono ke patch karne me madad ki hai.. isiliye thank you...

MARIA-aur hume bhi AL ne bataya ki tumne ye patchup kaise karaya...aur woh tarika jaankar hum khush bhi hue aur hairan bhi..

hairan isiliye kyunki hume nahi pata tha ki jo ladka kisise kabhi bhi matlab nahi rakhta tha,woh kisike liye itna kuch bhi kar sakta hai...!!!

MAI-agar baat wakayi kisiki hoti toh mai help karta bhi nahi..

par baat aap dono ki beti se judi thi..

aur mujhe maalum tha ki iski udaasi aap dono ko bhi taklif de rahi hogi, that's why i stepped in...

and mr and mrs FELLAR...kyunki uncle aunty ke close hai aap isiliye same baat aap par bhi applicable hoti hai...

the whole point is you guyz dont have to say thanks... maine koi favour nahi kiya hai, bas apni responsibility nibhayi hai...


maine abhi aakhri me jo responsibility waali baat kehi thi,woh dil par lagi thi FLORIN aur khaas kar MARIA ke..

yahi wajah thi ki jahan ek taraf un dono ke aankhon me paani aane par bhi FLORIN apni jagah par hi baithe rahe wahin MARIA turant uth mere paas aayi aur mere maathe ko chum liya...

jahan bina jhijhak aisa unhone pehli baar kiya tha wahin unke aisa karne par ek baar firse mere andar ek hulchul hui jisse maine bohot mushkil se push kiya tha....

khair,mere maathe ko chum MARIA toh mere paas hi baith gayi thi aur tab...


FLORIN-straight forward tarike se bhi itni deep baat ki jaa sakti hai,aisa bhi pehli baar dekha hai maine...


FLORIN ki baat par mai kuch kehta,usse pehle hi ALFREEN jo ab tak man hi man meri baaton ko sun behad khush ho rahi thi,bol padi ki...


ALFREEN-arre pops,abhi aapne kuch suna hi kahan hai...??? FOREST me mere aur MABEL ka patch up karane ke baad itne bhaari bhaari words bole the isne ki agar aap sunte toh dimag fuse ho jaata aapka....

FLORIN-really....!!!!

MAI-aisa nahi hai uncle..woh actually iske chota dimag wazan ka pressure nahi jhel paata naa isiliye aisa bol rahi hai...


jahan meri baat sun baaki sab has diye wahin ALFREEN mujhe ghoor kar dekhne lagi aur...


ALFREEN-what do you mean....???kya mere brain ke paas baaton ko samajhne waala hissa nahi hai....???

MAI-agar hota toh suicide karne ke liye aasman se nahi gir rahi hoti..

SAB-WHAT...???


jahan meri baat ko sun ALFREEN jisne apne aasman se neeche girne waali baat nahi batayi thi,usne apne daathon me apni jeeb daba di wahin mere is disclosure se MARIA, FLORIN aur mr and mrs FELLAR ek jhatke me apni jagah se uth gaye....


FLORIN-ye hum kya sun rahe hain AL.....???tum aasman se gir rahi thi...!!!!


halke shock aur ghusse me kahi thi ye baat FLORIN ne jispar ALFREEN ne mujhe ghoor kar dekha jispar mai hasa aur...

MAHI-relax guyzz..sucide waali baat mazak thi aur kuch serious nahi hua tha... MAGICAL FOUNTAIN ke paani ki madad se ud rahi thi ALFREEN par pehli baar udne ki wajah se balance thoda off ho gaya tha uska aur woh wapas paani me gir gayi,that sit...


mere is jhooth ko sun jahan ek taraf ALFREEN relaxed ho gayi wahin MABEL ke chehre par ek smile aa gayi...


ALFREEN-sun liya...kuch hota nahi ki hyper ho jaate ho aap dono mere jaisi maasum bacchi par..


masum sa chehra bana kar kahi ye baat ALFREEN ne jispar...


MARIA-maasum aur tu...!!!!

MAI-arre bohot maasum hai ye aunty....bhale hi ye aapki beti hai par gaur nahi kiya aapne.

dhyan se dekhiye...aakhen ullu si nadaan hain aur chehre par bandariya si bholapan...

aisa rare combination bohot mushkil se dekhne ko milta hai..


jahan meri baat sun sabhi zoron se has diye wahin ALFREEN ne mujhe ghoor kar dekha jispar..


MAI-aata hun mai...


ye bol mai mud gaya par tabhi...


ALFREEN-bhaagta kahan hai...??jab taarif ki hai toh uska inaam toh leta jaa...

ye bol daudi meri taraf ALFREEN par tabhi...

isse pehle ki woh mujhtak pahunchti,mai hawa me uth chuka tha jisse dekh ALFREEN chidh si gayi aur...


ALFREEN-upar kyun uth gaya..neeche aa,ullu aur bandariya ke kartab dikhati hun tujhe....

MAI-yahan se view zyada acha hai..tu show shuru kar,mai yahi se enjoy karunga....


meri baat sun ek baar phise zoron se has diye sab jispar aur chidh gayi ALFREEN....

khair, kuch der tak ALFREEN yunhi chidhi hui si rahi par phir usse bhi hasi aa gayi...

aur jab aisa hua toh mai bhi neeche aa gaya...kuch der aur woh sabhi rooke aur phir mujhe dobara ye yaad dila ki abse mera khaana unke yahan hi hoga, FLORIN aur MARIA baaki sabbi ke saath nikal gaye....

filhal shaam ho rahi thi aur mujhe kahin nikalna tha aur isiliye un sabke jaane ke kuch der baad mai bhi bahar nikla aur apne CHARIOT me baith gaya..

CHARIOT me baith uske gps me maine apne destination ke words feed kiye joki the,SHAILA'S ABODE......





PLACE-WICKEDS COMMUNITY HALL





HELLO WHIZZ....KYA KAHA THE GREAT WHIZZ SEBIL NE....KYA KUCH HO SAKTA HAI IN PAANCHON KA...!!!!!


hall me MABBA ke enter karte hi ye baatein kahi thi ANWIR ne.

shaam ka waqt hai....subah MABBA ke jaane ke baad se hi ANWIR uske wapas aane ka wait kar raha tha...

MORANA toh care free thi aur filhal woh apne ABODE me thi par ANWIR ka kaafi tention me beeta tha ye din..

reason...

jo uske paanchon friends ke saath hua tha,aisa kuch kabhi kisi WICKED ke saath pehle nahi hua tha aur agar un sabki us haalat ke baare me CHOSENS me pata chal jaata,toh WICKEDS ki dhounk kam ho jaati.

saath hi saath ANWIR ke rehte koi uske friend's ki haalat kharab kar gaya,is baat ko lekar uski kaafi insult hoti aur ye woh kaise bardaasht kar sakta tha..

yahi reason tha ki woh MABBA ke usse sampark karne ka morning se hi wait kar raha tha aur jab kuch der pehle MABBA ne usse HALL me bulaya tog woh turant yahan pahunch gaya aur phir SHAILA ke aate hi usse adhirtawash sawal karne laga jispar...


MABBA-aao mere saath...


ye bol MABBA us room ki taraf badh gayi jahan woh paanchon WICKEDS achet awastha me pade hue the...

ANWIR bhi unke piche ho liya tha......

un paanchon ke paas pahunch MABBA ne apni aankhen band ki aur apne haath se baari baari un paanchon WICKEDS ke pure sharir ko chhuti chali gayi..

aisa karte waqt uske mooh se ek SPELL uccharit ho raha tha jo tha...


KARWADEH VINASHAKAM

SYMPTOMS DESTROYER



jis bhi SAVENT ko chutte hue MABBA is SPELL ko uccharit karti thi toh uske agle hi pal us SAVENT ki body me halka sa jhatka lag raha tha jisse dekh ANWIR samajh gaya ki uske friends heal ho rahe hain...

khair,paanchon ki bodies ko chhu apne SPELL ko uccharit kar MABBA sidhi hui aur ANWIR ki taraf palti jispar...


ANWIR-kya ye ab thik ho jaayenge WHIZZ...???

MABBA-haan..par inki body ko recover hone me kuch din lagenge aur jab tak aisa hoga,ye yunhi behosh rahenge...


MABBA ki baat sun ANWIR ne ek rahat ki saans chhodi aur...


ANWIR-thank you WHIZZ....

MABBA-dont thank me..thank my BIG SISTER...unki wajah se hi ye sab bach paayen hain....

ANWIR-unke liye toh thanks ek chota word hai WHIZZ...i mean,hum sabki main inspiration toh wahi hain...

mera toh ye sapna hai ki some day i will become as powerful as WHIZZ SEBIL....


ANWIR ki baat par MABBA bas muskura di...


ANWIR-waise WHIZZ,just out of curiosity,mai janana chahta hun ki how..???ye paanchon thik kaise ho paaye...???

i mean us nakabposh ne inpar ussi BLACK ENERGY ke kano se waar kiya tha jisse hum RAAZ ke sharir ko hamesha ke liye nishkriya banane waale the..

phir inki bodies kaise thik ho gayi...???

(note:-waar nakabposh ne nahi RAAZ ne kiya tha,par uska tarika aur asar same dikhaya tha MORANA ne MABBA ko)

khair, ANWIR ke sawal par...


MABBA-in paanchon ke andruni sharir ke energy rays ko lekar jab mai BIG SISTER ke paas gayi aur unhe saari baat batayi toh unhone un rays ko check kiya aur tab ye pata chala ki....

jaise in sabke behosh hone ka reason nakabposh ka woh waar tha,waise hi inke bachne ka reason bhi us nakabposh ka wahi waar tha..

SISTER ne bataya ki us nakabposh ne jis bhi shashtra se waar kar in sabke BLACK ENERGY ke SPELL ko palta tha,wo waar pure WHITE ENERGY ki thi aur jab us WHITE ENERGY ke kano ne BLACK ENERGY ke kano ki disha ko moda toh saath hi usne BLACK ENERGY se SPELL ka command bhi le liya...

aur isiliye jab BLACK ENERGY ke kan in paanchon ki bodies me samaye tab isse pehle ki us energy ke kan inke internal organs ko chhute, WHITE ENERGY ne un kano ko piche dhakel diya aur khud inke internal organs se jud gayi par kyunki ye sab WICKEDS hain,, BLACK ENERGY ke dhaarak, isiliye inki body ne us WHITE ENERGY ko accept nahi kiya aur woh bas waise hi inke saare sharir me padi rahi aur yahi reason tha inki lambi behoshi ka..

par unhi WHITE ENERGY ke kano ki wajah se inke internal parts bach bhi gaye the...

khair,inhe hosh me laane ke liye un WHITE ENERGY ke kano ko inke sharir se nikalna tha aur ye ho sakta tha excessive strong BLACK ENERGY ke push se jiske pressure se woh WHITE ENERGY ke kan gayab ho jaaye...

BIG SISTER ne mujhe unki shakti ka AURA jo ki pure BLACK ENERGY se bana hai,woh diya aur us AURA ko hi maine in sabke sharir se connect karte hue WHITE ENERGY ko khatm karne ka SPELL bola tha aur ab aisa ho chuka hai...

par is kriya ki wajah se in sabka brain bohot zyada thak gaya hai isiliye ye kuch din behosh rahenge...


ANWIR-ohh..once again, thank you WHIZZ....

MABBA-thanks chhodo aur khudko aur nikharne me,aur apni shaktiyon ko badhane ke liye mehnat karo..

WICKED hone ki wajah se tumhara har kaam MORALS ke mukable zyaada easy aur asardaar hota hai...

par Shakti ke Shikar par pahunchne ke liye easy nahi balki hard way chunana padta hai...

battle with your own power....apni shakti ki hadhon ko badhao..

sirf ek mahina hai EXERTION me....is baar khudko down mat hone dena...

why people shouldn't mess with WICKEDS and specially MABBA,iska live example banana hai RAAZ ko.... understood...!!!

ANWIR-yes WHIZZ....i will not let you down & will definitely give my very best...

MABBA-good...

ye bol MABBA thodi aage badhi aur phir aakhen band kar..


MABBA-one month RAAZ...just one month...the last 30 days countdown of your remaining life starts now.......







PLACE-SHAILA'S ABODE





EK AAM SAVENT HONE KE BAAD PEHLI JEET MUBARAK HO RAAZ...!!!!


mujhe apne saamne dekh kahi ye baat SHAILA ne jispar...


MAI-kya wakayi mai jeeta hun...!!!!


mere is sawal par ek muskaan naach gayi SHAILA aur uske baaju me baithe AKSHAANT ke chehre par jiske baad...


AKSHAANT-kya baat hai RAAZ...???tumhe apni jeet par shak hai...

bina apni aloukik shaktiyon ke bhi tumne 6 WICKEDS jaise strong SAVENTS ko naa sirf takkar di balki unme chaar ko behosh kar diya aur ek bhaag khada hua...kya ye jeet nahi hai...!!!

MAI-agar ye wakayi jeet hai toh mai satisfied kyun nahi hun...mujhe aisa kyun lag raha hai ki bhale hi WICKEDS kal raat haare hon par jeet meri bhi nahi hui...

kyun mujhe aisa feel ho raha hai ki meri khudki shaktiyan mujhse khush nahi hain...

aisa kyun lag raha hai ki filhal maine jitne powers haasil kiye hain,unhe istemal me laa jo shakti pradarshan maine kal kiya,woh up to the mark nahi tha....

WICKEDS se jeet mujhe mujhse hi kyun hara rahi hai....????

SHAILA-naahi tum galat ho aur naahi woh ehsaas jo filhal tum mehsoos kar rahe ho...

MAI-isiliye hi mai yahan hun...tum dono ne kal ka mera pura yudh dekha hoga,batao mujhe,kahan galat tha mai....???

and most importantly,kyun galat tha mai...


AKSHAANT-har BAAZ ki niyati hai akaash me sabse upar udna par socho agar udne ke liye BAAZ ke paas aasman hi naa ho toh...

tumhari shakti bhi us BAAZ ki hi tarah hai jisse filhal tumne ajnaane me hi sahi,ek daayre me samet rakha hai,aur isiliye usse uska akash nahi mil raha jahan apni marzi ke mutabik woh khudko release kar sake....

SHAILA-acha ek batao,HIDA,AKSHAANT, BRAWNY aut phir aakhir me ACCHUTA ke jin shaktiyon ka use kiya tumne,kya woh wakayi strong thi...!!!

MAI-nahi...apni asli capability ki point 1 percent taakat bhi nahi thi un powers me...

SHAILA-correct...aur iska kaaran un chaaron ka filhal apne potential tak naa pahunch paana nahi hai...

kyunki jab woh sab apne full potential me pahunchege,tab bhi un chaaron ki shakti,jo tumhare bhi andar hai,wo tumhare maamle me fifty percent tak hi strong hongi..

baaki ke 50 percent ki zimmedari tumhari hai aur woh isiliye kyunki ab ye chaaron shaktiyan unke saath tumhari bhi hain..

aur jab shaktiyon par aadha hakh tumhara hai,toh uske nikhar ki bhi zimmedari tumhari hi hai...

aur kal wo point one percent shakti jo un chaaron powers ne dikhayi thi,woh tumhare hisse ki nahi balki un chaaron ke hisse ki thi..

tumne apne hisse ka power trigger karna abhi shuru hi nahi kiya hai....

ye powers tabhi trigger hongi jab tum apni powers ko unke potential ke hissab se badhana shuru karoge...

SHAILA-tumhe ye toh maaulum hi hain naa ki tumhari normal SOUL aur EMOTIONS ke power ka asar bhi baakiyon se bohot zyada hai...

par exact kitna zyada hai,ye tumhe nahi maalum hoga,right...????


SHAILA ki baat par vas haan me sir hilaya maine jiske baad...


SHAILA-tum isiliye un powers ki strongness aur hadh pata nahi kar paaye ho kyunki un powers ka koi limit hi nahi hai..

tumhari SOUL aur EMOTIONS ki power LIMITLESS hai...jitna tum chahoge aur mehnat karoge,utne shaktishaali ban sakte ho..

tumhe ab tak ye lagta tha ki ACCHUTA, SLUNDER, BRAWNY, HIDA aur inhi ki tarah mili hui GOD GIFTED SHAKTIYON se tum VIDEOUS ko takkar de paaoge par asliyat kuch aur hai..


aur woh asliyat ye hai ki agar tumne apne SOUL aur EMOTIONS ki shakti ko hi pura trigger kar liya toh tumhari normal SAVENT shakti bhi tumhare andar chuppi tumhari ALOUKIK shakti ke jitna powerful ho jaayegi aur agar aisa hone ke baad tumhe tumhari ALOUKIK shaktiyan wapas mile,toh tumhari SAVENT shakti aur ALOUKIK shakti merge hokar ek ho jaayegi jiska matlab hai ki tum VIDEOUS ko takkar bhi de paaoge aur shayad usse hara bhi do....

aur uske baad ye GOD GIFTED shaktiyon tumhare shaktiyon par cherry on the cake ka kaam karengi...


normally,kitna bhi bada revalation ho,mai shaant hi rehta hun,andar se bhi aur bahar se bhi par abhi jo baat SHAILA ne batayi,usse sun mere andar ek tez hulchul mach gayi thi...

meri normal SAVENT power itni strong hai ki uske aur mere ALOUKIK shaktiyon ke mishran se mai VIDEOUS jitna powerful ho sakta hun,ye bohot badi baat thi..

jab se mujhe mere astitv ke baare me pata chala tha,ye baat ki VIDEOUS taakat ke maamle me mujhe bohot aage hai,ye sach hamesha se mujhe andar hi andar thodi taklif deti thi,par SHAILA ki baat sun woh taklif jaise gayab hone lagi thi...

yahan mai ye sab soch raha tha aur wahan SHAILA ne apni baat aage badhayi aur....


SHAILA-ek current example ye bhi hai ki jitni stability tumne abhi tak apne EMOTIONS ko di hai,jitna AMPLIFIED tumhara abhi tak SOUL hua hai,sirf utne hi shakti ko utilize karne se kal tum bina HIDA, ACCHUTA, SLUNDER aur BRAWNY ke GOD GIFT shaktiyon ke sirf apne shakti se un sabhi WICKEDS ko paanch minute ke andar hi hara bhi sakte the aur maar bhi sakte the....

aur unka bade se bada waar tumhe aaghat bhi nahi pahuncha paata..par afsos naa toh tum kal ye kar paaye the aur shayad aage bhi naa kar paao....


SHAILA ki baat sun usse ghoor ka dekha maine aur...


MAI-ghuma fira kar baat kamsekam mere saamne mat karna..jo bhi kehna chahti ho,saaf saaf kaho...

AKSHAANT-SHAILA ye kehna chahti hai ki kyunki tumhari shaktiyan baakiyon ki tarah nahi hai, isiliye unhe use karne ka tarika bhi waisa nahi ho sakta jaisa baakiyon ke maamle me hota hai..

jo classes tum attend karte ho,jo procedure un classes me sikhaya jaata hai,woh tumhare SOUL aur EMOTIONS ko sahi tarah se unke full potential tak trigger karne ke laayak nahi hain...

MAI-tumhe nahi lagta ki baaton ko bina lamba kiya jo tarika mere laayak hai,uske baare me batana chahiye tumhe....

SHAILA-CHOSENS ka pura itihas pata hai tumhe....!!!

MAI-haan...

SHAILA-good..ek sawal puchne waali hun mai aur agar wakayi tumhe CHOSENS ke baare me sab pata hai,toh apne shaktiyon ko sahi tarah se badhane ka tarika jaan loge tum....

toh sawal ye hai ki CHOSENS ke pehle 1000 years ke baare me kya jaante ho tum...???


SHAILA ne sahi kaha tha..uske is sawal ne mere sawal ka jawab de diya tha....

mujhe pata chal gaya tha ki mujhe kya karna hai aur isiliye mere jawab ka naam nikal gaya mere mooh se jo tha....


MAI-THE PROHIBITED ARCHIVE


yahi tha mera jawab, meri agli manzil par ek problem ab bhi thi aur isiliye...


MAI-jagah aur tarika pata chal gaya hai mujhe,ab ye batao ki kahan hai woh jagah is waqt...???

SHAILA-yahi toh main problem hai...???hume thikana nahi pata uska....actually kisi ko bhi nahi pata...

jaise hi woh jagah band hui,woh apne aap gayab ho gayi jo aaj tak kisike saamne nahi aayi.....

haan,par jab woh gayab hui toh thik uske adrishya hote samay usse ek invisible energy release hui jo sidhe aakar hum teeno SOVEREIGN'S se takrayi thi...

aur jab aisa hua toh humare mastishk me ek ke baad ek akshar banane lage jo kuch shabdon ke samooh se ek paheli bankar gayab ho gaye...


MAI-kaisi paheli....????

SHAILA-



nishana ussika lagega jo nishana SAADHEGA NAHI....

doud wahi jeetega jo tez BHAAGEGA NAHI.....

apni zaroorat ko tyag aaja mere paas,par yaad rahe...

mujhe wahi dhoond paayega jo mujhe TALAASHEGA NAHI.....












AAJ KE LIYE ITNA HI....



 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF MABBA APNI BEHEN KE AURA KI MADAD SE PAANCHON WICKEDS KO THIK KAR DETI HAI WAHIN DUSRI TARAF SHAILA AUR AKSHAANT RAAZ KO THE PROHIBITED ARCHIVE KE BAARE ME BATATE HAIN JAHAN WO APNI SHAKTIYON KO BADHA SAKTA HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



UPDATE-92



PLACE-SOME WHERE IN SPACE








JAHAN SE WOH DONO LADKE HAIN,ARROW AUR CARAPACE,DONO HI PLANETS AB DEAD HO CHUKE HAIN...???

KARODON ME BASE IN DO PLANETS KE LOG SOLAR SYSTEM KE ALAG ALAG PLANETS ME SHIFT HO GAYE HAIN...

PAR AISA KYUN HUA HOGA...???HAR LIVING PLANET KA LIFE SOURCE KARODON SAALON KA HOTA HAI AUR PHIR USME CHANGE BHI DHEERE DHEERE AATA HAI....

PAR YE DONO PLANETS TOH ACHANAK SE DEAD HO GAYE...

NATURALLY YE POSSIBLE NAHI HAI....YE BAAT TOH PAKKI HAI KI AISA RAAZ NE HI KYA HAI....????

PAR SAWAL FIR WAHI HAI,KI KYUN....????


pehle DEVOTEE ne khudse hi ye sawal kiya jisse uske baaju me khade baaki dono DEVOTEES ne bhi suna aur.....


DEVOTEE 2-ek aur baat bhi hai jo kaafi ajeeb hai...dono PLANETS ke log toh humne dhund liye par ACCHUTA aur SLUNDER ke parents hume kahin nahi dikhe aur naahi hum unhe khoj paaye yaa unka AURA sense kar paaye....

pehle laga tha ki taaki VIDEOUS un tak naa pahunch paaye, isiliye RAAZ ne unhe chuppa diya hoga par aisa koi living PLANET nahi hai jahan humare LORD ki pahunch nahi hai.....

hum bhale unhe khoj nahi paate,par ab tak unhe sense zaroor kar paa chuke hote...

apni kaali urja ka aadhe se zyada bhaag kharch karne ke baad bhi hum un dono royal families ko sense nahi kar paaye hain....


third DEVOTEE joki dhyan se pehle dono DEVOTEES ko sun raha tha,second waale ki baat khatm hote hi....


3RD DEVOTEE-saare tarkon ko dhyan me rakhne ke baad hamari ab tak is asafalta ka ek hi kaaran bachta hai....

aur woh ye ki jin do PLANETS me is waqt sabhi CARAPACE aur ARROW ke log hain,wahan dono hi royal family moujud nahi hai...

woh kahin aur hain.....


DEVOTEE 1-mujhe bhi aisa hi lagta hai.. par sawal toh ab bhi wahi hai ki kahan ho sakte hain woh sab....???

aur itne bade bramhaand me hum unhe dhundenge kaha....???

DEVOTEE 3-humare liye jo mushkil hai,humare LORD ke liye bohot asaan hai..agar woh chaahe toh kuch hi palon me pure bramhand me base logon ki actual position sense kar sakte hain par aise chote kaam woh karen,ye unki shaan me gustakhi hogi...

ye hamara kaam hai aur hume hi isse anjaam dena hoga...

ek baat aur,mujhe lagta hai ki bhale hi apne logon saath nahi par ho naa ho,wo dono royal families issi sourya mandal ke kisi planet me hi honge...

isiliye hum teeno is system ke alag alag PLANETS me jaayenge aur apni kaali urja ko us PLANET ke vaayu me mila un sabke AURA'S ko khojenge...

DEVOTEE 1-idea acha hai...chalen fir..???


DEVOTEE 1 ki baat khatm hote hote hi woh teeno gayab ho chuke the..

gayab ho woh teeno hi us solar system ke teen alag alag PLANETS me prakat hue jiske agle hi pal....


RIGADHUNITA

SEARCH

apne dono baahein faila is SPELL ko uccharit kiya teeno ne jiske baad unke sharir se unki kaali urja ki ray nikal PLANETS ke vaayu ke saath mil gayi..

is ray ki speed light speed se bhi zyada thi...

yahi kaaran tha ki sirf kuch hi minutes me DEVOTEE 1 aur 2 ne apne apne PLANET ko scan kar liya tha par afsos unhe koi postive result nahi mila...

jahan apne negetive result se woh do hatash hue wahin third DEVOTEE ki ray abhi bhi jahan woh tha,us PLANET ko scan kar rahi thi..

aur iska reason ye tha ki is waqt third DEVOTEE jahan tha,woh planet is solar system ka sabse bada PLANET tha,MASSOR...

PLANET ke naam se ghanti baji...ye wahi planet hai jahan ACCHUTA aur SLUNDER ke parents ne khudko shoot kiya tha yaa fir ye kahun ki WOOGER ne unhe aisa karne par majboor kiya tha....

khair,ab tak 90 percent tak third DEVOTEE ke AURA ne us planet ko scan kar liya tha par result negetive hi tha jiski wajah se usse bhi nirasha hone lagi thi par tabhi....

jaise hi us DEVOTEE ki search ray MASSOR ke sabse bade jungle ke madhya pahunchi,ek point par pahunch woh ray zor zor se vibrate hone lagi jisse mehsoos kar us third DEVOTEE ki aankhon me chamak aa gayi aur usne turant apne dono DEVOTEES ke mind me us jagah ka location send kiya jahan se uske search ray me vibrations ho rahe the...

aisa kar woh khud bhi us location par pahunchne ke liye antardhyan ho gaya...

agle hi pal woh DEVOTEE apne manzil par khada tha jiske kuch seconds baad baaki dono DEVOTEES bhi wahan prakat hue aur un dono ne bhi ek jagah par tez vibrations feel ki...

us kampan ko feel kar un teeno ne ek dusre ko dekh smile paas ki aur us pointed jagah ki taraf badh gaye aur....

vibration ho rahi jagah par pahunch woh teeno hi neeche baith gaye..

jungle ke madhya the woh teeno isiliye har taraf bade bade ghaans uge hue the....

khair,jahan woh baithe the,usse bas 3 feet aage hi kampan ho rahi thi aur isiliye un teeno ne apna haath aage kiya aur..

SATYATA VINAKARTEM

EXPOSE THE TRUTH


teeno ne hi is SPELL ko bola jiske baad un teeno ke haathon se ek ek ray nikal saamne vibrate ho rahi jagah ke andar sama gayi jiske kuch seconds baad...

ghaans ke andar ek moovement shuru hui maano kuch bahar nikal raha ho....

kuch seconds aisa hua par phir us ghaans ke neeche ke alag alag jagah se kuch mitti bahar nikal hawa me un teeno ke beech aakar rook gayi...

woh teeno hi un saare mitti ke kano ko dekh rahe the..

bahar aane par toh un mitti ka colour normal hi tha par phir SPELL ke prabhav ki wajah se un saare mitti ke kano ke colour me halka halka badlaw aane laga..

jahan kuch seconds pehle woh saari mitti sukhi lag rahi thi wahi ab un mitti ke kano me thoda sa geelapan dikhne laga tha jisse dekh un sabne un mitti ke kano ko chhua aur apne honthon se laga liya aur jab aisa hua toh...

un teeno ki hi aankhen badi ho gayi....

reason....

jaise hi mitti ke kano ko un teeno ne chakha toh unhe samajh me aa gaya ki wo gilapan aur kisine nahi balki khoon ki boondon se aaya hai..

saath hi saath mitti me lage woh khoon ke kan jaise hi unke jeebh ne chakhe toh uske agle hi pal un saare khoon ko bundo ki asliyat teeno DEVOTEES ke mind me chalne lagi..

is waqt unke brain me woh scene chal raha tha jab WOOGER ne ACCHUTA aur SLUNDER ke parents ko khudkhushi karne par majboor kar diya tha aur waisa hone ke baad un chaaron ke andar se unke emotions ki shakti nikal RAAZ ko transfer kar di thi....

ye sab dekh woh teeno wakayi shocked the..

bhale woh teeno hi VIDEOUS ke gulam the par aisa woh sirf uske andar base BLACK ENERGY ki wajah se the par abhi jo scene unhone dekha tha,usse dekh unhe RAAZ me bhi ek shaitan dikha tha..

ek aisa shaitan jo BLACK ENERGY ka uttaridhikari hone ke liye shayad utna hi qualified aur samarth tha jitna ki VIDEOUS..

khair, yahan teeno DEVOTEES ke dimag me ACCHUTA aur SLUNDER ke parents aur RAAZ ke andar base un chaaron ke emotions ki theory clear hui,aur wahan VIDEOUS ko bhi sab pata chal gaya tha jisse jaan...


VIDEOUS man me-hahahahahaha...waah....chalo,matlab parasti me hi sahi,kisi field me toh tum mujhe takkar de rahe ho....

kamaal hai RAAZ....ek taraf ACCHUTA aur SLUNDER ko bachane ke liye har waqt unke aage khade rehte ho aur dusri taraf unke maata pitah ko hi maar daala tumne....

kaaran toh mujhe iska nahi pata aur naahi is baat ki khabar hai ki ACCHUTA aur SLUNDER par tum itne meherbaan kyun ho...??

par itna toh andaza laga hi chuka hun mai ki zaroor,isme bhi tumhara koi faayda chhupa hai...

aur agar tumhara faayda ACCHUTA aur SLUNDER ke saath rehne me hai toh mai kaise aisa hone de sakta hun....???

par filhal tum enjoy karo....dosti par aur lectures aur gyan do...

dosti ka jo beej tumne un dono ke man me apne liye ugaya hai,ugne dete hain usse...

waise bhi,kacche phal ko khaane me swaad nahi aata...

tumhare dosti ke beej ko ped ka roop le lene do,usme lage phal ko pakh jaane do,aur aisa hone ke baad jab us phal ko khaane ki baari aayegi,kaat dunga mai us dosti ke ped ko...


filhal ELYSIAN me subah ka waqt hai aur class me baithe baithe hi soch raha tha ye baat VIDEOUS par tabhi.....






PLANET-ELYSIAN


PLACE-CHOSENS





MORNING GUYZZZZ.....

MORNING WHIZZ, MORNING WHIZZDERS.....


ek saath hamare teeno WHIZZ aur WHIZZDERS ne hume greet kiya jisse jahan ek taraf VIDEOUS apni soch se bahar aaya wahin hum sabne bhi morning greet ka jawab diya jiske baad....


SAPIUS-FORBIDDEN FOREST ke do dino ke exciting trip aur fir ek din ke rest ke baad finally,we all are back...

waise jitna socha tha,usse zyada faaydemand saabit hua hai ye added activity aap sabke liye...


sikhne ke nazariye se dekhen toh bhi ye ek acha experience toh tha hi par sabse bada advantage aap sab ko hua hai the GIFT activity me...

FORBIDDEN FOREST jaane se pehle jahan MAHI, VIDEOUS aur RAAZ ke baad sirf VALDIS aur MABEL ne hi apne apne first refiner ke average POWER ko activate kiya tha wahin us activity ke baad baaki sabhi ka REFINER average power activate ho chuka hai..

and MAHI ke toh second REFINER ne bhi apne average power ko touch kar liya hai..

aur jinhe sabse zyada us activity ka faayda hua hai aur jo is waqt head to head class me sabse aage hain,wo hain VIDEOUS and RAAZ....


REGIS-absolutely.... VIDEOUS ne toh FORBIDDEN jaane se pehle hi apne second REFINER ke average POWER ko ACTIVATE kar liya tha aur THE GIFT activity me diye jawab ki wajah se VIDEOUS ne apne second REFINER ko bhi COMPLETE POWER tak ACTIVATE kar liya hai...

well done my boy....

and lastly,what to say about you RAAZ....jis position me is waqt VIDEOUS hai, tum bhi wahi position hold karte ho but having said that,jo jawab tumne us din THE GIFT naam ki us activity me diya tha,aur phir MAHI ke saath SAVENT OF THE DAY me jeetne ke liye jo answer tumne diya tha,usse tumne saabit kar diya ki you are something else my boy...

SAVENTS,her performance ko execute kaise karna chahiye,i think you should all learn it from RAAZ...

uska initiative naa sirf sabse alag hota hi balki sabse efficient bhi....we are proud to have a SAVENT like you RAAZ....

jahan mere baare me ye saari baatein bolte waqt REGIS aur unke baaju me khade SAPIUS bohot khush dikh rahe the,wahin baaki class ke reactions alag alag the..

jahan ek taraf thi MABBA,jiske andar meri taarif sun toofan macha hua tha wahin ussiki tarah negetive the VALDIS aur VIDEOUS...

ALFREEN MABEL aur ussiki tarah kuch SAVENTS khush the toh in sabke beech sabse alag bhaav the MAHI ke jo naa khush thi aur naahi dukhi...

but haan,last me jo REGIS ne kaha ki "we are proud to have a SAVENT like you"is baat ko sun usse PHASE 1 yaad aa gaya tha kyunki us waqt same words uske liye use hua karte the...

but mai tha aage usse aur jo sach se bhaage,wo MAHI nahi...

usse maalum tha ki mai ek aisa competition hun jisse piche karna bohot mushkil hai but she was up for this challenge...

saath hi jab REGIS ne ye kaha ki apne performance ko execute karne ka tarika kaisa hona chahiye,ye RAAZ se sabhiko sikhna chaahiye,is baat ko sun uske andar chuppa ek PHASE MATE aur learner usse mujhse sikhne aur mere tarikon ko samajhne ke liye keh raha tha but at the same time mera ATTITUDE aur uske dimag me basa ego joki BLACK ENERGY ki hi den thi,usse aisa karne se rok raha tha...

in saare thoughts se ladhti MAHI ne apne dimag ko jhatka aur class me focus karne lagi jahan ab SAPIUS aage ke plan batane waale the..


SAPIUS-so kyunki ab aap sabhi ke REFINER ek hadh tak activate ho gaye hain,iska matlab hai ki ab aap sab apne second class joki THE CLASS OF ELABORATION hai,uske liye taiyar ho chuke hain aur isiliye aaj se infact abhi se aapki ye class shuru hoti hai...


SAPIUS ki baat sun sabhi SAVENTS excited dikhne lage the kyunki ab tak woh jo class attend karte aa rahe the,THE CLASS OF EXPANSION ki,woh unke is PHASE ke metaphisycal capabilities ki base class thi par asli metaphysical activities aur magic CLASS OF ELABORATION me hi sikhi jaati hai joki ab as SAPIUS said,shuru hone waali thi...

wahin SAPIUS ki baat ko aage badhate hue....


MABBA-CLASS OF ELABORATION me hota kya hai,iska defination toh first day de diya gaya tha aap sabko, isiliye without wasting any more time, ELABORATION class shuru karte hain...

SAPIUS-ek second...ELABORATION class ke baare me baaki sabhi ko pata hai par RAAZ ko nahi....

as a STELLAR, FORBIDDEN FOREST ke baad uska ye first class hai, isiliye pehle hume RAAZ ko ELABORATION class ke baare me batana hoga...


SAPIUS ki baat sun MABBA ke chehre par ek halki si smile aa gayi...

reason...

usne jo bhi abhi kaha tha,woh isiliye hi kaha tha taaki SAPIUS ya REGIS woh kahen jo abhi abhi SAPIUS ne kaha tha aur ab jab aisa ho chuka tha toh MABBA jo aaj karna chahti thi,us plan ko khud SAPIUS ne kick de di thi....


MABBA-oh common on SAPIUS...kuch der pehle kahi apni hi baat bhul gye kya tum...???

kya kaha tha just thodi der pehle tumne ki RAAZ is something else aur tumhe garv hai uske jaise SAVENT ko apni class me paakar...

toh aise me tumhe lagta hai ki RAAZ jaise brilliant SAVENT ko itni choti choti baatein batani padegi..

aisa karna uske talent aur self respect ki insult hoga... right RAAZ....!!!!


jo bhi abhi MABBA ne kaha tha,uske piche zaroor uski koi naa koi chaal thi,itna toh SAPIUS aur REGIS bhi samajh gaye the aur unke saath SAVENTS bhi aur sabko is baat ka bhi andesha ho gaya tha ki zaroor MABBA aaj phir kisi tarah
mujhe lapetne waali hai...

wahin is beech jab maine kuch kaha nahi aur bas saamne dekhta raha toh..


MABBA-kya hua RAAZ...???dont tell me ki tumhare jaise brilliant SAVENT ka base bhi clear nahi hai...

MAI-ELABORATION class me hume hamari chaaron shaktiyon ke sources ko inerlink yaa fir ye kahun ki ek kar spell bolna sikhaya jaata hai taaki spell bolte waqt uska asar man mutabik ho aur saath hi chaaron AMPLIFICATION modes ko ek saath merge karne se hamare sabhi organs itne strong ho sake ki bade se bade SPELLS ke asar ko hamari body jhel paaye aur iski recovery nano seconds tak tez ho jaaye.....

itna hi nahi,SPELL bolne ke baad uske asar ke beech ek naye SPELL ko uccharit kar kuch alag bhi kiya jaa sakta hai, aisa karna bhi is class me sikhaya jaata hai..

is MULTI SPELL uchaaran karne waale technique ko HOAX HIT kehte hain jo kisi bh competition yaa fir yudh me bohot kaam ki chiz hoti hai....


ek straight face ke saath ELABORATION class ka pura ganit bata diya maine jisse sun jahan ek taraf SAPIUS, REGIS aur bohot se SAVENTS khush ho gaye wahin MABBA ke chehre par ek second ie liye ghussa aur frustration dikha jisse usne turant cover kar liya tha...

wahin in sabke beech the MABEL aur ALFREEN jo aaj mere baanu me hi baithe the aur jo mere jawab ko sun halka halka smile kar rahe the...

reason...

as promised,aaj morning ka breakfast maine ALFREEN ke ghar hi kiya tha... MABEL bhi wahan moujud thi aur tab maine baaton baaton me classes ke baare me pucha tha aur tab ALFREEN ne expansion aur elaboration,in dono hi classes ke baare me details de di thi mujhe aur jo abhi mere kaam bhi aa gayi thi...

aur isiliye mere jawab ko sun halka sa smile de ALFREEN mere kaan ke paas aayi aur...


ALFREEN-samajh me nahi aata ki tu talented zyada hai yaa lucky..???

MAI-babes,the harder you work,the luckier you get...

yahan hum dheere se baat kar rahe the aur wahan mere jawab ko sun..


MABBA-fantastic...dekha SAPIUS, RAAZ knows it all...sab pata hai usse aur isiliye RAAZ ke talent ko dhyan me rakh is class ko start karne ka ek alag aur exciting tarika socha hai maine...


MABBA ki is baat ko sun ek alarn baj utha SAPIUS aur REGIS ke man ne..

woh samajh gaye ki MABBA ek baar phirse mujhe fasane ke liye kuch karne waali hai aur isiliye...


SAPIUS-koi zaroorat nahi hai MABBA...jo regular procedure hota hai,ussike saath class shuru karenge hum....


MABBA-ye kya SAPIUS....!!!ek baar phirse tum apni hi kahi baat bhul gaye..

kya bola tha kuch der pehle tumne SAVENTS se ki har performance ko kaise execute karna chahiye,ye sabko RAAZ se sikhna chahiye..

uska initiative sabse alag hota hai toh aise me RAAZ ke initiative ka ek live demo toh banta hi hai taaki SAVENTS completely charge up ho saken....

kyun SAVENTS...???


VALDIS-yes WHIZZ...us din flying demonstration me RAAZ ne jaisa performance diya tha,that was so motivating....

hum sab ek baar phirse waisa hi kuch dekhna chahte hain RAAZ se....


VALDIS ki baat sun jahan uske kuch friends ne uski baat ka saath diya wahin MABEL aur ALFREEN ne VALDIS ki taraf ghusse me dekha jispar..


VALDIS-what..sahi toh kaha maine..??kyun,tum dono ko bharosa nahi hai kya RAAZ ki abilities par....


isse pehle ki VALDIS ki baat ka koi jawab deta...


MAI-bring it on...batayiye kya socha hai aapne... demonstration ke liye taiyar hun mai...


saare speculations par purv viraam sa tha mera ye statement jiske baad sabhi chup ho gaye par ab ALFREEN mujhe ghoor kar dekhne lagi thi...

khair,meri baat sun MABBA ke face par ek smile naach uthi aur..


MABBA-fantastic..ab ye hua naa ek champ waala ATTITUDE....


ye bol MABBA apni jagah se hili aur class ke beech me jaakar khadi ho gayi....


MABBA-so class,now its demonstration time joki aapki class ke sabse honhar SAVENT RAAZ aap sabke saamne present karenge..

aap sab ek wide circle banakar baith jaaiye aur RAAZ,tum us circle ke beech me khade rahoge taaki tumhara DEMONSTRATION puri class thik se dekh sake.....


jaisa MABBA ne kaha,sabne waisa kiya..kuch hi der me ek circle bana sabhi SAVENTS baith gaye the aur mai un sabke beech aakar khada ho gaya tha....

SAPIUS aur REGIS MABBA ke dono side khade ho gaye jiske baad...


MABBA-so SAVENTS...RAAZ ke through aaj aap sab ELABORATION class me sikhayi jaane waali do chizen dekhenge aur RAAZ ke performance se inspire hokar sikhenge...

jaisa ki aap sabko pata hai ki ELABORATION class me apne chaaron AMPLIFICATION modes ko merge kar ek kiya jaata hai jisse ek toh SPELLS ki power badh jaati hai aur dusra external aur internal,dono hi body ke bhaag itne strong ho jate hain ki seconds me har damage recover ho jaata hai..

toh pehli chiz aap yahi organ recover hona dekhenge aur dusri cheez jo aap dekhenge,woh hai HOAX HIT ko use me laana...

par kyunki hamare saamne RAAZ hai jisne apne dono REFINERS ko ACTIVATE kar liya hai isiliye HOAX HIT ko sidhe use me laana iske liye maamuli baat hai aur isiliye is part ki hum thoda aur tough aur innovating banane waale hain....

au woh aise ki RAAZ ke saamne total do task honge..pehle task me RAAZ khudko internal aur external,dono hi tarah se recover karega jisse uske first three AMPLIFICATION modes thik honge aur dusra task ye hoga ki aisa karte waqt mai usse hypnotize,sammohit karungi....

ye summohan BRAIN par nahi balki RAAZ ke SOUL par hoga...

jiske baad uske senses kam ya fir khatm ho jayenge,toh aise me RAAZ ko in dono hi task me successful hone ke liye khudpar hi ek saath do SPELLS ko bol use me laana hoga...

summohit hote hue bhi kisi tarah RAAZ tumhe apne dono REFINERS ko activate kar MASTISHKA GRAHAVATE SPELL ko man hi man uccharit karna hai jisse tum apne SOUL HYNOTIZE state se bahar aa jaaoge...

aur ye dono hi task tumhe ek hi waqt par karna hoga...apne first task jisme tumhari external aur internal body jisme BODY ke saath BLOOD aur BRAIN bhi honge,usse thik karte hue second task jisme tum apne SOUL ko HYNOTIZE ke bandhan se chhudaoge...

aur agar tumne aisa kar diya toh demonstration successful maana jaayega....easy,right....???


MABBA ki baat sun pure class me ek shanti ne ghar kar liya tha..jis demonstration ko MABBA simple bol rahi thi,ek PHASE 2 SAVENT jisne abhi tak ELABORATION class ka ganit practically samjha tak nahi hai,uske liye ye task impossible jaisa tha..

SAPIUS aur REGIS jaante the ki jo task MABBA ne mere saamne rakha hai,woh task toh PHASE 3 SAVENT ke liye bhi tough hai toh phir mai bhala kaise isme excel kar paaunga...

par woh ye bhi jaante the ki isme ab woh dono kuch nahi ka sakte the khaas kar tab jab maine challenge eccept kar liya tha...

par MABBA ne abhi first task exactly kya hai,iske baare me kuch kaha nahi tha aur siliye...


REGIS-pehle task me kya challenge hoga RAAZ ke saamne...???

MABBA-ab ye hua sahi sawal....waise ye part sabse interesting hai...dekho...

ye bol MABBA ne apna haath aage kiya aur aisa karne ke baad uske mooh se ek naam uccharit hua...


MABBA-RICINNNNNNNN.....


MABBA ke is naam ko uccharit karte hi uske haath ke upar kaala dhuan uthne laga aur dekhte hi dekhte us dhuen ne ek aakruti leni shuru ki aur jab us aakruti ne solid form liya toh sabki aankhen hairat aur halke dar se baahar aane lagi..

reason.....

is waqt MABBA ke haath me ek bohot bada aur behad hi chamkila kaala SNAKE tha....

SAVENTS ko toh nahi pata tha par SAPIUS aur REGIS jaante the ki ye snake MABBA ka paala hua pet hai aur puri tarah BLACK ENERGY se grasth hadh se zyada zehrila saanp hai..

iske zehrile aur iske andar panap rahe BLACK ENERGY ka asar issi baat se pata chal raha tha ki iske prakat hote hi class me moujud sabhi ki saansen halki bhaari hone lagi thi...

khair,muskurate hue apne gale ne daal liya MABEL ne us saanp ko jispar...


SAPIUS-are you out of your mind MABBA...kya isse daswane waali ho tum RAAZ ko....


SHHHHHH....

isse pehle ki MABBA kuch kehti, SAPIUS ki tez awaaz ko sun apne fan ko utha ek fufkaar maari RICIN ne aur aisa hone par jo hawa uske mooh se nikli,uski chapet me aa gaya SAPIUS aur uska dum ghutne laga jispar...


MABBA-RICIN...galat baat...class hai ye..yahan aisa nahi karna chahiye tumhe....

aur SAPIUS,tumhe maalum hona chahiye ki RICIN ke saamne koi mujhse unchi awaaz me baat kare,ye pasand nahi isse...


ye bol MABBA ne apna haath SAPIUS ki taraf kiya jiske agle hi pal RICIN ki phoonk se nikla zeher ka prabhav hath gaya aur SAPIUS normal ho gaya.....


MABBA-aur haan, RAAZ ko ye dasega nahi,iska kaam hai bas RAAZ ki body ko apni giraft me lena...

iske aisa karte hi RAAZ ki BODY, BLOOD aur BRAIN teeno hi AMPLIFICATION modes ki work proccess slow hi jaayegi....

and RAAZ,tumhe dar toh nahi lag raha hai naa....agar lag raha hai toh relax ho jaao.. kuch nahi hoga tumhe..

RICIN khatarnaak zaroor hai par mera paala hua wafadar hai..mai jitna bolungi,utna hi ye karega...


MABBA ki baat par mai kuch kehta par usse pehle...


ALFREEN-RAAZ ye demonstration nahi dega...


behad ghusse me kahi ye baat ALFREEN ne jisse sun pehle toh MABBA chownki par phir..


MABBA-koi baat nahi.. RAAZ haar maan backout kar sakta hai...batao RAAZ,tum backout karna chahte ho....???

MAI-mujhe baat repeat karne ki aadat nahi hai WHIZZ..demo shuru karte hain...


meri baat sun jahan ALFREEN man maarkar reh gayi wahin MABBA ne muskurate hue apna CIRIN ko chhua jiske baad woh woh MABBA ke gale se utra aur meri taraf badh gaya....

zigzag chalta hua woh saanp mere paas aaya aur agle hi pal woh tezi se mujhe khudme lapeththa chala gaya....

ab ye ek magical saanp tha jiski length kareeb 7 feet thi par jaise jaise woh mujhe lapettha gaya,uski size badhti gayi aur yahi wajah thi ki kuch hi palon me CIRIN ne mujhe pair se lekar gardan tak lapet liya tha...

mere gardan ko lapet wo thik mere chehre ke saamne aaya aur apna fun utha mujhe ghoorne laga jispar meri aankhen bhi usse ghurne lagi..

chal rahe drishya ko saansein thaame dekh rahe the saare SAVENTS...

is waqt usne apne fun se nikata zeher rok rakha tha par uske pure sharir se ek negetive energy jo poison se mili hui thi, mere BODY se hote hue mere andar jaane lagi thi jiski wajah the mujhe bohot pain feel hone laga tha....

aur tabhi MABBA mere saamne pahunchi aur...


MABBA-tumhari BODY,BLOOD aur BRAIN par asar shuru ho chuka hai jiska matlab hai ki tumhara pehla task shuru ho chuka hai....

ASAMAVE.....ye woh SPELL hai jo tumhe apne BRAIN, BODY aur BLOOD ko ek karkar bolna hai...

par abhi mai tumhe HYNOTIZE karne waali hun...isiliye pehle SPELL ke saath saath tumhe apne SOUL ko bhi baaki teeni AMPLIFICATION modes se jodkar
MASTISHKA GRAHAVATE SPELL uccharit karna hai..

aur ek baat ka dhyan rahe,dono SPELL ek saath uccharit karne hain tumhe apne man me..agar tum aisa nahi kar paaye toh tumhare chaaron AMPLIFICATION modes temporarily damage ho jaayenge jiske baad tum kuch waqt tak behosh hi rahoge..


meri aankhon me dekh ye baat kahi MABBA ne jisse dekh mai uske man me chal raha ganit kuch kuch samajh gaya..

darasal woh mujhe ussi tarah ek lambe samay tak behosh karna chahti thi jaisa uske paanchon WICKEDS hue the...

itna maine samjha tha par puri baat ye thi ki MABBA mujhe pure ek mahine tak behosh karna chahti thi jiske baad meri aankhen sidhe EXERTION COMPETITION me khulti aur bina taiyari ke meri waat lag jaati....

khair,ab kiya kuch jaa sakta tha nahi isiliye maine bhi khudko ready kar liya...

abhi tak naa maine mere paas jo extra GOD GIFT shaktiyan thi,unhe use kiya tha aur naahi mai aage karne waala tha...

jaisa ki SHAILA ne bataya tha ki mujhme normally bhi bohot shakti hai toh aaj mujh uss shakti ko test karna tha...

khair,apni baat ko aage badhate hue...


MABBA-ek choti si warning aur...ye jo CIRIN ha naa,isse rules todte dekhna pasand nahi hai...

isiliye koi shortcut mat lena warna ye ghussa ho jaayega aur agar aisa hua toh tumhari taklif badh sakti hai..

MAI-jaise isse rules todne waale pasand nahi waise hi mujhe jab koi taklif deta hai,toh acha nahi lagta...

aur jab mujhe acha nahi lagta toh mujhe taklif dene waale ke saath dobara kuch acha nahi hota...


meri baat sun mujhe ek pal ghura MABBA ne aur phir mere seene par haath rakha MABBA ne aur....



YAVIDOHANA...

HYPNOTIZE THE SOUL....


MABBA ke aisa bolte hi uske hathon se ek ray nikal mere andar sama gayi jiske baad meri aankhen atak si gayi...

mujhe aisa laga maano kisine mujhe andar se pause kar diya ho....

aur saath hi CIRIN ke mujhe lapetne ki wajah se mere baaki ke teeno AMPLIFICATION modes bhi asthir ho gaye the jiski wajah se mujhe aisa lagne laga tha jaise meri BRAIN,BODY aur BLOOD ko kisine behosh kar diya hai...

mere chaaron AMPLIFICATION modes lagbhag nishkriya ho gaye the toh fir aise me mai kya kar sakta tha..???

sochne ke liye dimag bhi kaam nahi kar raha tha mera...ek jeevit mrit jaisi haalat me khada tha mai is waqt par tabhi....

ek hulchal mehsoos hui mujhe mere andar....

aur ye hulchul thi us eklouti chiz ki ko mere chaaron AMPLIFICATION modes ke daayre se bahar thi,meri EMOTION...

jo mere fifth AMPLIFICATION mode HEART me thi aur jo filhal tezi se mere blood se hote hue BRAIN tak aur fir BRAIN se hote hue SOUL tak doud rahi thi aur jab aisa hua toh mera pura focus mere EMOTIONS par kendrit ho gaya....

pehle meri urja shakti khudke andar sama apne emotions ke saamne pahunchi aur phir us shakti ne ek challang lagayi EMOTIONS ke saagar me aur jab aisa hua toh...

meri urja shakti us sagar me doobte chali gayi...par kamal ki baat ye thi ki jitne andar wo shakti jaa rahi thi,utni urja mai khudme feel karne laga tha aur meri BODY, BRAIN aur SOUL ki functioning bhi normal hone lagi thi....

itna hi nahi,bina koi mehnet ke mere chaaron AMPLIFICATION modes ek alignment bana ek dusre se judne lage the...

mai is condition me pahunch chuka tha jisme mai araam se dono SPELL bol is demo ko jeet sakta tha par maine aisa kiya nahi....

apni urja shakti ke sahare mai apne emotions ke saagar me doobta chala gaya...

reason...

jitna andar mai sama raha tha, mujhe apni chuppi hui shakti ka utna hi bodh hota chala jaa raha tha...

jaisa SHAILA ne kaha tha ki meri normal shaktiyan agar puri trigger ho jaayen toh woh bhi meri aloukik shaktiyon jitni hi powerful hai,ab mai bhi us sach ko mehsoos kar raha tha..

meri SOUL bhi ye sab dekh aur mehsoos kar rahi thi aur isiliye usne ek sandesh bheja mere BRAIN ko aur aisa hote hi mere BRAIN me woh paheli gunj uthi jo kal SHAILA ne mujhe boli thi aur jab aisa hua toh ek tasvir dikhi mujhe mere antar man me jiske dikhte hi ek current sa daud gaya mere pure sharir me aur...


ASAMAVE...... MASTISHKA GRAHAVATE.....


ek SPELL mere BRAIN,BODY aur BLOOD ne uccharit kiya aur dusra SPELL mere SOUL ne uccharit kiya par tabhi....


SHATRU VINASHAKAM.....

ENEMY DESTROY......


ek aur SPELL apne aap hi uccharit ho gaya mere andar se aur ye uccharit kiya tha mere fifth AMPLIFICATION HEART ne aur jab aisa hua toh ek saath teen chizen hui...


pehli....


ASAMAVE SPELL ke prabhav mere first three AMPLIFICATION modes free ho gaye...ab unme CIRIN ke sharir se niklate BLACK ENERGY aur poison ka koi prabhav nahi raha..

dusra...

MASTISHKA GRAHAVATE SPELL ke uccharit hone se mai apne hypnotize state se bahar aa gaya..

ar teersi aur sabse tagdi jo cheez hui thi woh hui thi third SPELL ke uccharan se...

mere fifth AMPLIFICATION mode HEART ne jaise hi VINASHAKAM SPELL uccharit kiya toh uske agle hi pal....


CIRINNNNNNNNN......

ek chikh se gunj uthi puri class....

ye cheekh aur kisiki nahi balki MABBA ki thi...

reason..

jaise hi mere andar se SHATRU VINASHAKAM SPELL uccharit hua toh mere pure sharir se ek WHITE ENERGY se bana poison ka antidote nikla aur mere sharir se lipte saanp par pada aur aisa hote hi saanp ki pakad mujhse chhut gayi aur woh zamin par pada chhatpatane laga aur yahi dekh MABBA ki cheekh nikli thi..

khair,jahan MABBA apne paaltu saanp ko chhatpatate dekh uske taraf lapki wahin baaki dono WHIZZDERS aur SAVENTS joki dil thaam is demonstration ko dekh rahe the,mujhe normal hota ayr demonstration ko jeettha dekh turant mere paas aaye aur mujhe badhayi dene lage...

jahan ek taraf SAPIUS aur REGIS ne toh meri taarifon ke pool baandh diye the wahin VALDIS aur uske kuch friends mere is jeet ko pacha nahi paa rahe the...

ALFREEN aur MABEL bhi mere liye bohot khush the par saath hi meri condition lekar thode chintit bhi the...

aur in sabke beech jab meri nazar ek side par gayi toh mere chehre par ek smile aa gayi...

reason...

CIRIN ka chhatpatana band ho chuka tha,inact uski saansein bhi band ho chuki thi aur filhal MABBA apne paaltu saanp ke mrith sharir ko haathon me thaam khadi thi..

wahin meri nazar aur smile ka piche jab baaki sabne kiya toh unhone bhi CIRIN ko mare hue aur MABBA ko sad dekha jisse dekh kisiko koi fark nahi pada...

par mai sabke beech se hota hua MABBA ke saamne jaakar khada ho gaya...

kisiko apne saamne khada mehsoos kar jab MABBA ne saamne dekha toh mujhe khada dekh uski aakhon me chingari doudne lagi jisse dekh mere chehre par ek smile naach gayi aur...

MAI-necklace haath me nahi,gale me shobha deta hai..

ye bol maine MABBA ke haathon se woh mara hua saanp liya aur uske gale me lapet diya..

MAI-perfect...waise kaha tha maine,jab mujhe acha nahi lagta toh mujhe taklif dene waale ke saath dobara kuch acha nahi hota...

ye bol mai wapas palatne ko hua par tabhi...

MABBA-you will pay for this RAAZ....

halke awaaz me gurrate hue kahi ye baat MABBA ne jispar mai wapas uski taraf palta aur...


MAI-


log baatein karte hain,hum
KAAM KARTE HAIN.....

aur jo bhi karte hain, KHULE AAM KARTE HAIN.....

agli baar takrane se pehle laga lena humari shohrat ka andaza....

yaad rahe,jinke saamne aap jhukte hain,woh hume SALAAM KARTE HAIN....













AAJ KE LIYE ITNA HI......






 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF APNE DEVOTEES KE THROUGH VIDEOUS KO PATA CHALTA HAI KI RAAZ NE ACCHUTA AUR SLUNDER KE PARENTS KO MAAR DIYA HAI WAHIN DUSRI TARAF ELABORATION CLASS KE DEMONSTRATION ME EK BAAR PHIRSE RAAZ MABBA KE CHALLENGE KO JEET JAATA HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



UPDATE-93



PLANET-ELYSIAN


PLACE-CHOSEN'S



GROOMERS CLASS:-






SAMPURN AANANDITAM....


is SPELL ko bole kareeb 1 minute nikal chuke the ACCHUTA aur SLUNDER ke jisme pure josh,dhairya aur dridh nishchay ke saath woh dono hi apne first REFINER ko COMPLETE POWER tak pahunchane ke liye lage hue the..

aur aisa karne ka kaaran is waqt unke antarman ke kissi kone me zoron se ufan raha tha...

kaaran.....


RAAZ-apne vicharon ko do bhaagon me baaton...ek bhaag ko ye soch kar khush hone do ki ek dost ne tum dono ki aaj madad ki...

tumhare saamne aakar tumhe bachaya wahin apne vichar ke dusre bhaag me khudke yogyata ko tolo....

agar aisa karoge toh ek sawal puchega tumse hi tumhara khudka dimag...

sawal ki kyun tum dono khud itne yogya nahi ho ki bade se bade khatre se naa sirf bhidh paao balki us khatre ko hara bhi paao...

ek baar apni aankhen band kar us chiz ke baare me socho,jisse tumhe sabse zyada lagaw hai aur phir ye socho ki kya us chiz ki hifazat ke liye saksham ho tum yaa phir uske liye bhi mujhe hi saamne aana hoga...!!!

ANNJAVI SAMUDEYA BINJAVATI..ye wahi SPELL hai jo tumse pehli mulakat ke waqt bola tha maine jiske prabhav se tumhe apne andar ek khaalipan sa mehsoos hua tha...

woh khaalipan us GOD GIFT ke aadhe bhaag ke copy hone se tumhe feel hua tha,jo tum dono aur tumse jude tumhare planet ki shakti ke mujhme transfer hone se aaya tha...

us GIFT ka aadha hissa abhi bhi tum dono ke andar hai aur jiski wajah se tum yahan ke baaki SAVENTS se yogyata me kaafi aage ho..

par har yogyata ko kadi mehnet se hi nikhara aur badhaya jaata hai jo tum dono abhi tak nahi kar paaye ho...

isiliye mehnet karo ACCHUTA, SLUNDER.. aisi mehnet jisse tumhare andar chuppi sone rupi ability nikhar jaaye....

jin do logon ne tum dono ke maata pitah aur saath me tum dono ko bhi 18 mahino tak behosh rakha tha,tum dono me itni kaabiliyat hai ki agar usse kaam me le aao toh un do jaise 10 par bhi bhaari padogo tum dono...

yaad rahe,waqt kisika nahi hota...ye kab palat jaaye, koi nahi jaanta.. isiliye jab tak ye tumhare paksh me hai,khudko is kaabil bana lo ki jab ye tumhare virudh ho,toh bhi tumhara kuch naa bigad paaye....


FORBIDDEN FOREST ke second din ki activity start hone se pehle MABBA se jis tarah RAAZ ne unhe bachaya tha jisse woh dono kaafi khush hue the,uske baad jab woh teeno GROOMERS group ke saath dusri jagah jaa rahe the,tab un dono ke chehre ki khushi aur uske reason ko samajh RAAZ ne ye baatein kahi thi un dono se aur yahi wajah thi un dono ke aaj ki focus ki....

RAAZ ke kahe shabd jab tak unke zehen me gunje,tab tak ek aur chiz ho chuki thi...

ek tez roshni se naha utha tha ACCHUTA aur SLUNDER ka antarman jiska matlab tha ki apne first REFINER ke complete power ko activate kar liya tha un dono ne aur isiliye jab un dono ki aankhen khuli toh...


REGIS-congrats ACCHUTA, SLUNDER...aaj tum dono ne apne first REFINER ko completely activate kar liya hai....

kamal hai,pehle RAAZ aur ab tum dono....yahan is catagory ke saare SAVENTS ab bhi normal grow kar rahe hain par WEAKLINGS se hote hue yahan pahunche tum teeno itne aage nikal gaye ho....

EDWINA-nikle bhi kyun naa...??aakhir hai toh ye dono bhi RAAZ ke dost....asar toh hoga hi...

toh ACCHUTA, SLUNDER, apne apne first REFINER ko COMPLETE POWER tak ACTIVATE kar lene ki wajah se aap dono ke SOUL bhi 4 percent tak AMPLIFY ho chuke hain aur isiliye kalse aap dono GROOMERS class me nahi balki STELLARS class me as STELLARS join karenge....

aur aaj shaam tak aap dono ke apartments me aapke personal ELUSORIES aap dono ko aapke ABODES me le jaane ke liye aa jaayenge...

ACCHUTA/SLUNDER-thanks WHIZZ,thanks WHIZZDERS...humari achievements aap sabke guidence ki wajah se possible ho paayi hai...

EDWINA-aur hume ye ummid hai ki aap dono STELLARS me bhi aapke friend RAAZ ki hi tarah apne achievements ka loha manwayenge....

ACCHUTA/SLUNDER-we will give our best WHIZZ.....







PLACE-LIBRARY






ARCHIVE.....SOURCE MATERIAL AUR HISTORICAL DOCUMENTS KE RECORDS RAKHNE KI JAGAH....

ANOTHER WORD LIBRARY....



CHOSENS ke vishalkaay library ke saamne apne kamar par dono haath tikaye kahi ye baat maine...

filhal aadhi RAAT ka waqt hai aur is waqt mere yahan hone ka reason hai wahin ehsaas ho aaj demonstration ke waqt mujhe hua tha...

darasal aaj demonstration ke waqt jab RICIN naam ke us saanp ke zeher ke aur MABBA ke HYNOTIZE spell ke asar se mere chaaron AMPLIFICATION modes nishkriya ho gaye the,tab mere HEART ne mere body ka pura control khud par le liya tha aur phir jab usne mere chaaron AMPLIFICATION modes ko thik karna chaalu kiya toh mere BRAIN aur SOUL me ek saath wo paheli gunji jo SHAILA ne boli thi..

aisa karte karte hi maine woh dono SPELLS uccharit kiye the jinse meri state thik ho jaaye aur ye wahi waqt tha jab RICIN ko khatm karne ke liye mere HEART ne bhi ek VINASHAKAM SPELL uccharit kiya tha par jab aisa hua aur mere HEART se ek energy nikal RICIN se takrayi aur woh mar gaya,uske baad bhi meri woh ENERGY rooki nahi aur bijli ki gati se pure CHOSENS me fail gayi aur tab maine ek alag hi chiz notice ki aur woh alag chiz thi,ye LIBRARY...

alag ye ki jo library maine aankhen band kar subah dekhi thi,woh waisi nahi thi jo filhal mere saamne hai yaa phir ye kahun ki jo philhal CHOSENS ka hissa hai...

mere saamne khadi ye LIBRARY ki building safed colour ki hai jabki jo building mere HEART ke energy ne mujhe dikhayi di,uska colour grey tha...

aur jaisa ki SHAILA ne bataya tha, PROHIBITED ARCHIVE ko band karne ke baad woh gayab ho gayi thi,iska sirf ek hi ganit nikalta hai ki hi naa ho,wo ARCHIVE LIBRARY ka hi hissa tha jisne khudke saath puri library ko hi gayab kar liya tha aur aisa hone ke baad yahin issi jagah par nayi library ka nirman hua tha...

par ek gayab ho chuki jagah ko hi dikhaya tha mere FIFTH AMPLIFICATION MODE ne jiska sirf ek hi matlab ho sakta hai aur woh ye ki woh jagah sirf adrishya hui hai,par hai woh jagah abhi bhi yahin par....

aur ab mujhe ye bhi samajh aa chuka tha ki kyun jabse VIDEOUS CHOSENS aaya hai,tabse uska zyada waqt yahan library me guzarta hai...

darasal woh bhi us PROHIBITED ARCHIVE ko dhund raha hai joki mujhe lagta hai ki usse ab tak nahi mili hai kyunki agar aisa nahi hota toh aaj maine us jagah ko sense nahi kiya hota...

khair,jagah ka ganit toh clear tha,aur ab baari thi,paheli ke ganit ko samajhne ki....

jiska mere hisaab se abhi ke liye sabse important bhaag tha....


"APNI ZAROORAT KO TYAG,AAJA MERE PAAS"....

meri zaroorat....kya hai meri zaroorat abhi....????meri shaktiyon ko enhance karna...

aur shroth kya hai,is enhancement ka,mere emotions....mere emotions me chhupi shakti hi mujhe baaki SAVENTS se alag karti hi...

aaj subah jis tarah mere HEART ne mere baaki chaaron AMPLIFICATION modes ko control me kiya,usse ye saabit hi gaya ki mere chaaron AMPLIFICATION modes ke beech basi meri heart ek aisa emotion se bhara energy contain karti hai jisse jud mere baaki ke chaaron modes ki shakti bhi automatically badh jaati hai...

so the whole point is ki filhal meri zaroorat hai apne fifth AMPLIFICATION mode matlab heart aur usme base emotion ko tyagne ki....

jis shroth ke through mujhe apni shakti badhani hai, mujhe pehle ussi shroth ka tyag karna hoga....

par kaise kar paaunga mai aisa....???

kehte hain ki sawal utna hi PECHIDA hota hai jitna humara dimag usse banata hai...

isiliye zyada dimag lagane se acha hai ek baar palat kar apne purane experiences ko dekh lo...

aur aisa mai yahan aate waqt kar chuka tha..

aur filhal jo experience mere kaam aane waala hai,woh zyada purana nahi tha..

ye wahi experience tha jo mujhe kuch din pehle PARIVARTAK ke through mila tha...

jisme mai apne raichaita se mila tha....

mujhe ek baar phirse woh kriya dohrani thi jisse kar mujhe apne emotions mile the...

GOD.....jinke through mujhe mere emotions mile the aur aaj ek baar firse unhike through kuch der ke liye mujhe ussi emotion ka tyag karna tha....

maine apni aankhen band ki aur aisa karne je agle hi pal mai thoda hawa me uth gaya...

reason...

ye CHOSENS hai... VIDEOUS ke hisaab se bani duniya..ispar apne pair rakh agar mai GOD ko lekar koi kriya karun, toh pata lag jaayega usse...

khair,hawa me uth maine apni aankhen band ki aur agle hi pal apne CEREBRATION process ko paused kar apne andar jhaankte hue us shakti ke samandar ko khojne me lag gaya jisse sab THE ALMIGHTY kehte hain....

GOD ki shakti urja se hi mere chaaron AMPLIFICATION modes ke andar chhuppi emotions bahar aaye the isiliye mujhe pura yakin tha ki mere emotions ke andar us urja ke kan zaroor moujud honge aur mera ye andaza bilkul sahi nikla..

kuch der tak apne andar jhaankne ke baad mujhe mere HEART ke madhya ek bohot hi baarikh par tez aur strong urja ka ehsaas hua jiske baad mera pura concentration ussi urja ki taraf mood gaya aur jab aisa hua toh..

us halki aur baarikh si urja ke dayre me vistaar hone laga aur dekhte hi dekhte mere andruni sharir ka har bhaag us urja ke kiran se chamakne laga aur jab aisa hua toh aur us urja ne mere BRAIN ko chhua toh usse mere bina kuch kahe hi mere khwahish ka pata chal gaya aur isiliye...

kuch hi seconds me woh saari urja wapas mere HEART me shrink ho gayi jiske agle hi pal wahan se ek nayi urja bahar aayi joki meri emotion thi aur mere seene se hote hue bahar nikal gayab ho gayi...

aur jab aisa hua toh mai neeche gir gaya...

jaise ki ek sach ye hai ki meri normal shaktiyan baakiyon ee zyada strong hai waise hi ek sach ye bhi hai ki meri AMPLIFICATION modes ke vistar se mili taakatein bhi mere emotions se connected hain aur ab kyunki mere emotions mere paas nahi the isiliye filhal mai back to zero pahunch chuka tha..

bina koi metaphisycal capabilities ka SAVENT par ye sirf kuch der ke liye hi tha isiliye mera dhyan is taraf gaya hi nahi aur mere kadam library ki taraf badh gaye...

CHOSENS ki library ke main gate me naa toh koi lock lagta tha aur naahi usse band kiya jaata tha...

ye 24/7 khula hi rehta tha isiliye mai bina kisi rukawat ke library me ghusta chala gaya par jaise hi mere kadam library me pade toh...

bohot aage LIBRARY ke ek bhaag me kampan hui jo maine saaf mehsoos ki aur aisa hote hi mere kadam us disha ki taraf badh gaya...

ye library kaafi badi thi jiska har bhaag kayi 100 metres tak faila hua tha...

kampan mere thik saamne ki taraf se ho rahi thi isiliye mai tezi se ussi taraf badhne laga..

aisa karte hue mai kuch hi der me library ke us bhaag ke dead end me khada tha aur jab mai wahan tak pahuncha toh woh ho rahi kampan bhi band ho gayi...

ab kya karun,mai is baare me soch hi raha tha ki tabhi phirse mujhe apne dakshin ki taraf se kampan feel hone lagi isiliye mai turant us disha ki taraf badh gaya par jab kuch der baad mai us disha ke bhi dead end par pahuncha toh naa toh mujhe aage kuch karne ka suraag mila aur saath hi woh kampan bhi ek baar phirse gayab ho gayi...

mai idhar udhar dekh hi raha tha ki ek baar phirse mere uttar disha ki tarad bane blocks se mujhe kampan mehsoos hona shuru hua aur isiliye ek baar phirse us vibrations feel hone waali jagah ke liye mai kadam badhane ko hua par tabhi...

mere BRAIN me SHAILA ki kahi gayi PAHELI ka line gunj sa gaya...


"MUJHE WAHIN DHOOND PAAYEGA JO MUJHE TALAASHEGA NAHI...."


aur is line ke BRAIN me gunjte hi mere pair rook gaye aur dimag chalna shuru hua...


MAI-agar woh paheli sach hai toh ye kampan ka hint sirf ek bhram hai...

aur ye bhram isiliye create kiya gaya hai taaki mai is kampan ki disha ka anusaran karte hue talash shuru karun par kahin pahunch naa paaun kyunki talashna hi toh nahi hai mujhe....

ye thought dimag me aate hi mai us kampan ho rahi jagah ka rookh naa kar dusri disha ki taraf badh gaya...

aur jab maine aisa kiya toh woh kampan automatically band ho gayi...ab mai yunhi library ke har part ka chakkar lagane laga...

ab mai yunhi library ke chakkar lagane laga par jab mujhe chakkar lagate lagate kaafi der guzar gaya aur kuch bhi nahi hua toh mujhe thodi hairani hui...

aage kya karna hai,ye mai sochne laga..yunhi sochte hue jab maine gour kiya toh paaya ki is waqt mai wahin khada hun jahan kuch der pehle mere brain me un ho rahe vibrations ki disha me naa jaane ka khayal aaya tha...

aur jab ye thought mere brain me aaya toh...


MAI-oh shit....ye kaise bhul gaya mai...mere us kampan feel hone waali jagah ki taraf naa jaane se kampan band ho gayi thi jiska matlab hai ki ye jagah mere har bhaav ko mehsoos kar rahi hai....


"MUJHE WAHI DHUND PAAYEGA JO MUJHE TALAASHEGA NAHI ka matlab sirf paida hone waale bharm ki taraf aakarshit hona bhar nahi hai,balki us khayal ko bhi nahi ubharne dena jiski wajah se mai yahan hun...

aage ka ganit clear ho gaya tha mujhe....

mai us PROHIBITED ARCHIVE ki talash me hun yahan,maine is thought ko bhi apne brain me suppress kar liya aur aisa kar mai aage badha...

abhi mai kuch kadam hi aage badha tha ki tabhi.....

DHAABBBB...DHABBB....DHHABBB....

ek ke baad ek kayi saari books ek khaali jagah se apne aap nikal mere sharir me padne lage...

ye bohot achanak aur tezi se ho raha tha jisse mai apni normal SAVENT ability se puri tarah dogde nahi de paa raha tha...

is achanak waar se mai lagatar piche hota chala jaa raha tha...

ek aur ajeeb baat ho rahi thi aur woh ye ki mujhe hit karne ke baad woh books neeche zamin par maa girkar gayab ho jaa rahe the aur wapas ussi khaali point se nikal meri taraf badh rahe the...

kaafi der tak un books ki maar jhelte hue maine dhyan se us point ki taraf dekha jahan se woh books prakat ho rahe the aur jab maine aisa kiya toh...

maine dekha ki books ke prakat hone se pehle ek behad halki si roshni us point par jagmagati hai aur ussi roshni ke andar se woh books nikalte hain...

is ganit ko samajhne ke baad jaise hi agla book mujhse takrane ko hua,maine usse pakad liya aur thik tab jab woh roshni jagmagane ko hoti thi,maine book ko uski taraf nishana laga fek diya aur tabhi...

ab baat ye hai ki har SAVENT ka nishana perfect hota hai aur isiliye mera nishana bhi achuk nikla...

maine dekha ki meri pheki woh book exactly us roshni se takra gayi thi par aisa hone par us roshni ke kan ne book ko khudme absorb kar liya aur phir same prakriya phirse shuru ho gayi...

iske baad kayi books meri taraf aaye,kuch mujhe lage aur kuch ko catch kar maine us roshni ki taraf pheka par natija kuch bhi nahi nikla...


MAI-nishana toh sahi lag raha hai par kuch ho nahi raha,kyun...???

khudse pucha maine ye sawal aur aisa hone ke agle hi pal apne sir par zor ka haath maara maine...

reason...


MAI-"NISHANA USSIKA LAGEGA JO NISHANA SAADHEGA NAHI"...

jaisa ki maine bataya ki har SAVENT ka nishana perfect hota hai,aur shayad yahi wajah thi ki paheli me nishana naa saadhne ki baat kahi gayi thi....

paheli ki woh line yaad kar aur uske arth ka avlokan kar is baar book ko catch kar maine usse bina nishana lagaye bas yunhi saamne ki taraf phek diya aur jab aisa hua toh woh book udti hui gayi aur us roshni ke baarikh kan ko naa chu uske side se nikal gayi aur tabhi....

2 chizen hui...

pehli...book ka us roshni ke kan se nikalna band ho gaya...

dusri...wo roshni ka kan kuch seconds waisa hi raha par phir woh dheere dheere expand hone laga aur dekhte hi dekhte kuch hi der me wo kan wahin zamin se 6 feet upar ek bade se darwaze me convert ho gaya.....

ek ulta roshni se jagmata darwaza jiske dono doors pure khule hue the...

us darwaze ko dekh mai samajh gaya ki yahi hai PROHIBITED ARCHIVE ka entrace door....

yahan mere dimag me ye baat gunji aur wahan woh door band hone laga...

kuch der pehle un books ke lagatar hitting ki wajah se us door waali jagah se kaafi door aa chuka tha..

aur maine aaklan kiya ki jis speed se woh door band ho rahi hai,us hisaab se agle 5 seconds me woh door puri band ho jaayegi..

is waqt mai us door se kareeb 100 metre door tha jiska matlab tha ki apne normal SAVENT ke speed se bhi mai exact 5 seconds me us door tak pahunch sakta hun..

ye saare thoughts nano second me hi mere brain me ghum gaye the aur phir maine apni puri tezi se bhaagne ka man banaya par tabhi....


"DOUD WAHI JEETEGA JO TEZ BHAAGEGA NAHI".....


paheli ki baaki saari lines ko mai ab tak samajh bhi chuka tha aur usme kahi baaton par amal bhi kar chuka tha,,

bas ek aakhri line jiska abhi tak practical bacha hua tha,woh mere brain me gunj uthi aur jab aisa hua toh maine apne hawa me uthe hue kadam ko rok liya aur phir dheere dheere aage badhne laga...

maine sirf do kadam hi aage badhaye honge ki itne waqt me woh 5 seconds pure hue aur woh door band ho gayab ho gaya par mai phir bhi rooka nahi aur aage badhta raha aur kuch hi der me mai us jagah par pahunch gaya,jahan kuch der pehle tak woh magical door tha....

us jagah pahunch maine upar dekha jahan filhal kuch bhi nahi tha aur...


MAI-mujhe lagta hai ki batayi gayi paheli ke har bhaag ko justify aur solve kiya hai maine..agar wakayi aisa hai toh let me in or else kick me out....


apni baat keh mai chup ho gaya...kuch seconds toh yunhi shanti se beete par tabhi achanak ek jhatke me mere sir se kuch upar woh darwaza dobara prakat hua jiske agle hi pal uske dono doors ek jhatke me khul gaye aur jab aisa hua toh..

mera pura sharir us door ke andar se aa rahe tez roshni se naha gaya
aur agle hi pal mai us roshni me upar uthne laga aur dekhte hi dekhte mai us door ke andar pahunch chuka tha jiske baad woh door band ho gaya....





INSIDE THE PROHIBITED ARCHIVE






TOH YE HAI PROHIBITED ARCHIVE..


apne chaaron aur nazar ghumate hue kahi maine ye baat..

is waqt mai dobara ek library me tha....mere chaaron taraf books ka bhandar laga hua tha par ye books different thi....

aur ye mai isiliye keh sakta tha kyunki in saare books se hi mujhe behad negetive energy ka AURA feel ho raha tha...

aur ye AURA hadh se zyada shaktishaali bhi lag raha tha...

par itne negetive energy ke baad bhi inme ek positive vibe thi jo in books aur is jagah ki shakti ko balance kar rahi thi...

aur jab in saari tathyon ko feel kiya maine toh ek aur baat bhi pata chal gayi mujhe...

aur woh ye ki mere EMOTIONS aur unke saath mere AMPLIFICATION powers mujhe wapas mil chuke hain kyunki bina unki moujudgi ke mai ye sab mehsoos nahi kar sakta tha...

khair,mai idhar udhar dekh hi raha tha ki tabhi...


WELCOME RAAZ......SADIYON SE IS JAGAH KO AUR KHUDKO CHUPPA INTAZAR KIYA HAI MAINE TUMHARA.....AUR AAJ AAKHIRKAAR TUM AA HI GAYE...


ye awaaz ek jagah se nahi balki chaaron taraf se aa rahi thi jisse sun...


MAI-sadiyon tak intazar kiya hai,phir bhi khudko chuppaye hue ho...saamne kyun naahi aa rahe...???

AWAAZ-mai sirf tumhare liye hi ab tak yahan hun...par mai khudse saamne nahi aa sakta....mera bacha hua astitv mere naam se juda hai jo mai khud nahi le sakta...

paheli ki pariksha me safal hue tum...ab ye bhi ek pariksha hai jisse tumhe paar karna hai...

mujhe dekhne ke liye,mujhe apne saamne laane ke liye tumhe mera naam pukarna hoga....

haan,aisa karne me madad zaroor karunga mai...

dhyan se suno meri baat....meri awaaz se nikalte AURA ko samet jhaanko apne andar,mere naam ae judi shakti tumhare andar hi hai jiski madad se mujhe pehchaan jaaoge tum....


us AWAAZ ki baat sunte sunte hi maine uske AURA ko samet liya tha aur aisa kar jab maine usse apne andar dhakela toh....

ek tez vibrations hui mere andar par naa toh ye vibrations mere emotions ki thi, aur naahi mere AMPLIFICATION power ki aur isiliye mai us vibrations ke core ko nahi samajh paa raha tha..

khair,maine apni aaankhen band kar apne CEREBRATION process ko pause kiya aur laga jhaankne andar aur jab aisa hua toh us invisible bande ki awaaz ek baar phirse gunj uthi mere brain me..


AWAAZ-jo vastra hum pehente hain,woh humare sharir ka bhaag nahi hote,par phir bhi hote toh woh hamare hi hain naa,is tark ko neev bana bujho ki mai kaun hun....???


us AWAAZ ki baat ko sun ek jhatke me aankhen khul gayi meri...

maine jaan liya tha mere andar ho rahi vibration ka kaaran...

aur us kaaran ka naam tha ACCHUTA ki shakti ka AURA....

aur is baat ko jaan mere BRAIN me us awaaz ke maalik ka naam bhi clear ho chuka tha.....


MAI-mai jaan gaya aap kaun hai...??


mere aisa kehte hi mujhse thodi door mere saamne ek WHITE ENERGY se bani aakruti dikhne lagi..


par mai jaanta tha ki ye roshni tab tak aisi hi rahegi jab tak mai iske piche chuppe iske asli maalik ka naam nahi le leta aur isiliye unka naam lene ke liye hile mere honth aur jaise jaise mai bolta gaya,woh aakruti apna asli roop leti chali gayi....



MAI-


ek waar me hi naash hoga,chahe saamne kitna hi bada ASUR HO...

buddhi bhi kaam naa aayegi,chaahe lagane waala kitna hi CHATUR HO...

us ARROW,us BAAN ka KAAT nahi ho sakta,

jisse chalane waale aap ho, arthath swayam DHANUR HO....













AAJ KE LIYE ITNA HI....
 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF ACCHUTA AUR SLUNDER STELLARS KE LIYE QUALIFY KAR CHUKE HAIN WAHIN DUSRI TARAF RAAZ KO PROHIBITED ARCHIVE MIL JAATA HAI JAHAN USKI MULAKAT DHANUR SE HOTI HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



UPDATE-94



PLANET-ELYSIAN


PLACE-CHOSENS



STELLARS CLASS:-







WELCOME ACCHUTA & SLUNDER...


SAVENTS, ACCHUTA AUR SLUNDER NE APNE FIRST REFINER KO COMPLETE POWER TAK ACTIVATE KAR LIYA HAI...

ISILIYE AAJ SE YE DONO BHI IS PRESTIGIOUS CATAGORY KA HISSA AUR SAATH HI AAP SABKE PHASEMATES HAIN....

WELCOME THEM....


REGIS li baat sun SAVENTS ne apne desk par haath maarte hue ACCHUTA aur SLUNDER ka welcome kiya jispar behad khushi se woh dono class me enter hue aur sidhe aakar baari baari mujhse gale mile aur tab jab ACCHUTA mere gale laga toh....


OH,TOH YE HAI ACCHUTA JISKE PAAS PURE WHITE ENERGY KI ARROW HAI...

MAI ISKE ANDAR BASE US GHATAK SHAKTI KO MEHSOOS KAR SAKTA HUN...


ye awaaz kahin baahar se nahi balki mere andar se aayi thi aur is awaaz ke maalik the DHANUR jo apne naam aur hunar se jude ACCHUTA ki maarak shakti DIVYA ARROW ko mehsoos kar khush ho gaye the...

par DHANUR mere andar kya kar rahe hain...???chal rahe scene ko khatm karne ke baad is sawal ka jawab mil jaayega aap sabko....

khair,jahan class ke kaafi SAVENTS ACCHUTA aur SLUNDER ko yahan dekh khush the,wahin VALDIS jaise kuch SAVENTS ko issi baat se chidh ho rahi thi aur is chidh ko 100 guna aage lejaate hue ek naye level par pahuncha rahi thi REGIS aur SAPIUS ke baaju me khadi MABBA jo ACCHUTA aur SLUNDER ka STELLAR'S hona pacha nahi paa rahi thi aur issi wajah se uske man ke nakaratmak bhaav uske chehre par saaf dikh rahe the...

SAPIUS aur REGIS bhi MABBA ki haalat se parichit the par is haalat ko mehsoos kar un dono ke chehre par ek smile thi...

is beech SLUNDER aur ACCHUTA mere left aur right khade ho chuke the aur aisa kar jab unki nazar saamne khade MABBA par gayi jo in dono ko hi ghur rahi thi toh dono ko bhi uski bhaavna ko samajh hasi aa gayi...

par jahan SLUNDER dheere se hasne ke baad chup hi raha wahin ACCHUTA jiske paas mute button hai hi nahi,usne MABBA ki aur sulgaane ke liye....


ACCHUTA-hume itne khule man se welcome karne ke liye thanks WHIZZDER REGIS...

hum dono ko bhi is class ka hissa bankar acha laga... isiliye nahi kyunki is class ko royalty bhi kehte hain,balki isiliye kyunki is class me aapke aur SAPIUS jaise WHIZZDERS hain...

sirf aap dono se sikhne ke liye hi hum yahan hain warna hum GROOMERS chhodte hi nahi...

kyunki WHIZZ EDWINA aur WHIZZ PETRA CHOSENS ki best WHIZZES hain aur issi wajah se GROOMERS bhi STELLARS se kam nahi hain..


ACCHUTA ki baat sun kuch SAVENTS ko bura laga,kuch ko acha aur mujhe...!!!mai toh has diya ACCHUTA ki baat sun jisse dekh MABBA ki puri tarah sulag gayi....

kuch der tak hum teeno ko dekhti rahi MABBA par phir uske face me ek smile aa gayi aur...


MABBA-toh ACCHUTA,tumhe lagta hai ki GROOMERS catagory STELLAR'S ko takkar de sakti hai...!!!

ACCHUTA-WHIZZ,mujhe lagta nahi hai,i am sure about it...aur sirf takkar hi nahi de sakti balki hara bhi sakti hai...

haan,bas shart ye hai ki is catagory se humara ye dost RAAZ participate naa kare..

woh kya hai naa ki ab bhala koi SAVENT kaise iske aage tik bhi paayega jab aap jaisi STELLARS ki self proclaimed best WHIZZ bhi lagatar isse har challenge me haarti aa rahi hai...


waise toh ye direct beizzaati thi MABBA ki jisse sun usse aag babula ho jaana chahiye tha par hua uska ulta..

ACCHUTA ki baat sun uske face ki smile aur gehri ho gayi aur..


MABBA-wo challenge nahi,balki demonstration tha jisme tumhare friend ka saamna sirf kisi activity se bani chunouti se hua tha,MABBA se nahi...

khair,jo bhi tumne abhi abhi kaha,hold on to that thought...

REGIS, SAPIUS,10 minute....bata dena in sabko......


ye bol MABBA class ne nikal gayi jiske baad...


SAPIUS-so SAVENTS,aaj hamare teeno SOVEREIGN'S ek announcement karne waale hain aur isiliye aap sab 10 minute baad the GREAT HALL me gather honge...


jahan ye bol SAPIUS aur REGIS class se nikal gaye wahin unke jaate hi sabhi SAVENTS kya anouncement ho sakti hai,iske baare me discuss karne lage...

khair, anouncement kya hogi,ye toh kuch hi der me automatically pata chal hi jaana hai, isiliye is scene ko filhal yahi hault karte hain aur ab chalte hain us part ki taraf jisme aap sabne mere andar se DHANUR ki awaaz suni thi...

aur aisa kyun aur kaise hua,iske liye kal raat hue scene ke thode se bache part ki taraf mudte hain....





THE LEFTOVER CONVERSATIONS FROM YESTERDAY'S NIGHT:-





KITNA JAANTE HO MERE BAARE KE RAAZ!!!!


prakat hone ke pashchat kaafi der tak mujhe behad khushi se dekhne ke baad ye pehle shabd the jo nikle the DHANUR ke mooh se jisse sun...


MAI-utna hi jitna aapki bhumika LORD OF ANGELS ke samay me bani thi...

MIRROR WORLD ke baad LORD ne apko is pure bramhand ke har grah me jaakar yodha taiyar karne ka daayitv diya tha...

DHANUR-haan...yahi daayitv mila tha mujhe LORD OF ANGELS se....aur jab CHOSENS bana,toh yahan ka pehla WHIZZDER mai hi tha...

MAI-aapko mile daayitv ke baare me soch ye khayal mere dimag me bhi aaya tha....

toh phir hua kya...???aap achanak gayab ho gaye,aapke saath ye jagah bhi gayab ho gayi...

aur abhi jab aap wapas saamne hain toh bhi aapka roop pura kyun nahi hai..???aap abhi spirit form ne kyun hain...???

DHANUR-jab CHOSENS bana toh iski roop rekha, MAGICAL aur metaphisycal capabilities sikhane ka tarika alag tha aur kaafi strong bhi...

tab PHASE 1,2,3 aisa kuch nahi tha..tab SAVENTS ko 5 saal tak lagatar alag alag METAPHYSICAL ACTIVITIES sikhayi jaati thi....

darasal jab VIDEOUS ne LORD OF ANGELS aur CREATURE OF JUDGEMENT ke saamne is INSTITUTION ko banane ki baat kahi thi,tab usne ye bhi kaha tha ki har metaphysical activity me aur usse jude books me BLACK ENERGY ka vaas hoga...

taaki usse practice karne waale har SAVENT ka jhukaav BLACK ENERGY ki taraf automatically ho jaaye...

BLACK ENERGY taakat toh deti hai par saath hi iska power pressure bhi bohot zyada hota hai...

khaas kar tah jab maansik tour par isse grahan karne ke liye koi taiyar naa ho....

yahi kaaran tha ki jab CHOSENS me padhayi shuru hui,aur SAVENTS ne SPELLS aur alag alag METAPHYSICAL ACTIVITIES me part lena shuru kiya,toh unke brain ko BLACK ENERGY ke pressure ko jhelne me bohot mushkil hoti thi..

jaisa ki maine bataya ki mai yahan ka first WHIZZDER tha,par kyunki mai ek WHITE ENERGY holder hun, isiliye baaki ke sabhi WHIZZES aur WHIZZDERS BLACK ENERGY HOLDER the...

aur unhe banaya tha khud VIDEOUS ne apni kaali shaktiyon ki madad se...

aur isiliye kyunki woh human nahi the, isiliye human feelings ki bhi unhe koi knowledge nahi thi...

woh sab behad strict tarike se bina daya kiye sabhi SAVENTS ko padhaya aur SPELLS practice karwaya karte the...

unke padhane ke tarike aur BLACK ENERGY ke pressure ko zyadatar SAVENTS ke BRAIN aur BODY jhel nahi paate the aur unki mout ho jaati thi....

ye sab dekh mujhe bohot dukh hua aur maine taaki BLACK ENERGY ke pressure ko balance kiya jaa sake,maine WHITE ENERGY ke AURA create kar SAVENTS ke BRAIN me daalna shuru kiya,jisse unke dimag me pressure kam hone lage the...

par saath saath ek aur chiz bhi hui...aur woh ye ki BLACK ENERGY ka prabhav joki har SAVENT ko burayi ki taraf automatically khinchta tha,woh bhi band hone laga...

aur iska pata baaki WHIZZES AUR WHIZZDERS ko tab hua,jab metaphysical activities ko karte waqt SAVENTS ke body se positive AURA nikalne laga aur jisse mehsoos kar un saare BLACK ENERGY ke holders ko ghutan honi shuru hui....

isse rokne ke liye un sabhi WHIZZDERS aur WHIZZES ne apne apne BRAIN ko sabhi SAVENTS se joda aur unke BRAIN aur BODY se WHITE ENERGY ko extract karne ki koshish ki par unki ye koshish unpar aur SAVENTS par bhaari padh gayi...

hua ye ki waisa karte waqt jab unka AURA SAVENTS ke BRAIN me panap rahe WHITE ENERGY ke AURA se takraya,toh dono hi AURA aur unki shakti disbalance ho gayi jiska natija hua MASS KILLING...

ek hi jhatke me sabhi SAVENTS mar gaye aur marte waqt un sabhi ke andar se WHITE aur BLACK ENERGY ki ek combined power nikal sabhi WHIZZES aur WHIZZDERS ke andar samayi jiski wajah se un sabhi BLACK ENERGY ke upasakon ka bhi anth ho gaya...

SAVENTS, WHIZZES, WHIZZDERS,sabke marte hi un sabki sammilit praan shakti beghar ho gayi aur puri CHOSENS me vidhwansh ka taandav kar ghumne lagi par phir un shaktiyon ko vaas karne ka ek thikana mila aur woh thikana tha ye jagah,THE PROHIBITED ARCHIVE....joki uswaqt sirf ARCHIVE hi kehlaati thi....

kyunki is ARCHIVE me rakhe ye books,inme behad strong BLACK ENERGY ke kan the, isiliye isse behtar thikana un asthir aur beghar shaktiyon ke liye nahi ho sakta tha par jab woh shaktiyan yahan aayin aur in books me samayi toh WHITE ENERGY ki wajah se in books me pehle se moujud BLACK ENERGY bhi unstable ho gayi....

itni khatarnaak shaktiyan aapas me hi bhid gayi jiski wajah se behad hi powerful energy waves bahar nikalne lage..

un waves me LIFE SENSING ABILITY bhi thi aur isiliye unka daayra bhi woh saari jagah thi jahan jahan LIFE hai,matlab ki pura BRAMHAAND....

aur jab is hone wali tabahi ka andesha LORD OF ANGELS aur CREATURE OF JUDGEMENT ko hua,toh unhone ek faisla liya..

faisla ki is jagah ko isse release ho rahi shaktiyon ke saath gayab kar diya jaaye...

par ye asaan nahi tha....itni powerful energy source ko band karne ke liye chahiye hoti hai kurbaani aur woh kurbaani di maine..

maine apni saari WHITE ENERGY ki shaktiyon ko apne LIFE SOURCE ke saath release kar diya aur jab aisa hua toh mere sharir se niklati energy ne is puri jagah ke energy ko khudme sokhna shuru kiya aur jab kuch der me meri shaktiyon ne aur mere life source ne apna kaam pura kiya toh ye jagah aur mai dono hi gayab ho gaye....

bhale hi meri body,meri life khatm ho chuki thi par is PROHIBITED ARCHIVE me hone ki wajah se meri SOUL yahan ki saari shaktiyon ki wajah se yahin reh gayi aur aisa hona bhi tha kyunki jab mai apni body ka tyag kar raha tha,tab LORD ne mere brain me ye message pahuncha diya tha ki mera kaam abhi khtam nahi hua hai..

ek din VIDEOUS ko ussike khel me challenge dene ke liye koi aayega aur tab mujhe usse uski asli ability ko nikharne me madad karni hogi..

yahi hoga mera aakhri kaarya...

isiliye taaki sirf tum yahan tak pahunch paao, ek paheli rupi maarg maine teeno SOVEREIGN'S ko sandesh ke roop me diya tha...

aur dekho, aakhirkaar tum yahan tak pahunch hi gaye....

MAI-is puri jagah par BLACK ENERGY ka AURA hai jisse mare hue SAVENTS aur aapke WHITE ENERGY ne dabaya hua hai...

par hai toh ab bhi BLACK ENERGY yahin phir aise me VIDEOUS ko is jagah ke baare me kaise pata nahi chala...???

DHANUR-jaisa ki maine bataya ki is jagah ka prarambhik swaroop puri tarah VIDEOUS ne banaya tha par iska jo result hua,woh uske khel ka hissa nahi tha..

waisa karna ek loop hole tha... sirf BLACK ENERGY aur WHITE ENERGY ko balance me rakhkar hi koi jagah jahan manushyon ka waas ho,khadi ki jaa sakti hai...

us ghatna ke baad VIDEOUS is sach ko samajh gaya tha...woh ye bhi jaanta tha ki wahi kriya agar dobara dohrayi jaaye toh natija bhi pehle sa hi niklega...

waise toh usse kisiki jaan ki parwah nahi hai,par woh ye jaanta tha ki agar aisa hi chalta raha toh dono LORDS uske pratidwandi ko kabhi bhi uske saamne nahi laayenge aur woh ussi BANISHMENT me phasa reh jaayega aur isiliye SAVENTS aur CHOSENS ke sabhi niyamo ke sanchalan ka kaam usne puri tarah se dono LORDS ko diya aur phir abhi jo is jagah ka swaroop hai,woh bana...

CHOSENS ka sanchalan jab LORDS ke haathon me aaya toh unhone khudke AURA se is jagah ki shaktiyon ko baandh diya jisse BLACK ENERGY bhi detect nahi kar sakti thi...

par is jagah ko baandhne se pehle tak VIDEOUS ne is jagah ko sense kiya hua tha isiliye yahan ek SAVENT bankar aane ke baad usne bohot koshish ki yahan pahunche ki par kaamiyab nahi hua...

MAI-hmm...toh ab kya..??kya mujhe apni shaktiyon ko badhane ke liye har din yahan aana hoga...

DHANUR-nahi,is jagah ka astitv sirf tab ke liye hi bacha hua tha,jab tak ke tum yahan nahi pahunche the..

ab is jagah ki zaroorat nahi hai...abse mai,ye jagah aur yahan basi WHITE aur BLACK energy ki shakti tab tak tumhare andar vaas karegi jab tak tum apni SAVENT ki shaktiyon ke shikhar tak pahunch jaate....

apni aankhen band karo aur apne fifth AMPLIFICATION mode HEART par dhyan kendrit kar apne emotions ke stable hisse ki shakti AURA ko release karo..

baaki kaam apne aap ho jaayega..

jaisa DHANUR ne kaha,maine kiya... apne CEREBRATION process ko paused kar maine apne HEART par dhyan kendrit kar jaise hi maine
apne emotions ki stable AURA ko release kiya toh....

wo AURA pure ARCHIVE me faile gayi aur aisa hote hi woh pura ARCHIVE vibrate karne laga aur dekhte hi dekhte wahan rakhe saare books bhi spirit form me convert ho mere released AURA me samane lage aur kuch hi der me woh pura ARCHIVE khaali ho chuka tha..

saare books ko absorb kar meri AURA wapas mere andar loutne lagi aur jab aisa ho raha tha toh DHANUR ki spirit bhi aage badhi aur mere AURA ke through mere sharir se hote hue mujhme sama gayi...

jab ye proccess pura hua toh mujhe apne andar bohot bhaari sa mehsoos hone laga par phir jaise jaise meri AURA neutral hoti gayi,woh bhaar bhi gayab hone laga aur is tarah DHANUR aur unke saath woh pura ARCHIVE mere andar moujud tha...



THE LEFTOVER SCENE ENDS:-






PLACE-THE GREAT HALL






GOOD MORNING SAVENTS....SO, ANOUNCEMENT TIME... EXCITED...!!!!

YES SOVES......


SHAILA ke sawal par behad josh se sabhi SAVENTS ne yes kaha tha..

is waqt hum sabhi the GREAT HALL ke beach khade the..ek line me hum STELLARS,humare left side me thode gap banakar khade the GROOMERS aur unse thode gap me khade the WEAKLINGS jisme do hi log the...

ek WHIZZ HIDA aur ek SAVENT BRAWNY...

khair, greetings ke baad baaton ko aage badhate hue...


AKSHAANT-session ke shuruat me aap sabko aapke WHIZZES aur WHIZZDERS ne ek competition ke baare me bataya hoga jisse EXERTION kehte hain,ye anouncement ussi competition ke baare me hain...

darasal baat ye hai ki ye competition har session me kamsekam 3 months ke baad hota tha par is baar WHIZZ SHAILA joki PHASE 2 ki sabse strong WHIZZ han,unke kehne ki wajah se ab ye competition aajse thik 30th day par conduct hoga....


BOOM.....

ek tagda bomb sa tha ye anouncement sabhi WHIZZES aur WHIZZDERS ke liye...

reason....

EXERTION koi maamuli competition nahi tha.. metaphisycal activity se bhara ye competition kaafi risky hota hai...

3 charan me bata ye competition SAVENTS ki puri efficiency aur energy,dono ko hi nichodne ke lite bana hai..

saath hi ye ek deadly competition bhi maana jaata hai kyunki isme ghaatak SPELLS aur severe physical contacts bhi allowed hote hain....

aur is competition ki sabse khatarnaak baat ye hai ki isme SAVENTS ke saath kul 2 WHIZZ ya WHIZZDER bhi participate karte hain....

jisme se ek toh koi bhi ho sakta hai par dusri hamesha se MABBA hi rahi hai jisne har baar kisi na kisi SAVENT ko aur kabhi kabhar toh apne opponent WHIZZ aur WHIZZDER ko bhi bohot nuksaan pahunchaya hai....

aur sabse badi baat ye thi ki PHASE ke shuru hone ke mahaz 3 mahine me jab SAVENTS apne 25 percent ability tak bhi nahi pahuncha hota hai, toh aise waqt par is competition ke aayojan se sabhi WHIZZES aur WHIZZDERS ko pareshani thi....

aur ab jab AKSHAANT ne bataya ki is baar woh competition aaj se thik teeswe din matlab PHASE shuru hone ke sirf 2 mahine baad hone waala hai,toh aise me sabko shock toh lagna hi tha...

par itne saare negetives hone ke baad bhi koi kuch nahi kar sakta tha kyunki as AKSHAANT said, MABBA philhal is PHASE ki sabse powerful WHIZZ hai aur CHOSENS ke niyam ke anusar jo sabse shaktishaali hota hai,baat ussiki maani jaati hai...

khair, AKSHAANT ki baaton ko aage badhate hue..


MOKALSAR-par is baar is competition me kuch badlav hue hain joki WHIZZ MABBA ne hi sujhaye hain...

aur woh badlaav kya hain,ye ab aap sabko WHIZZ MABBA hi batayegi....

MABBA,bataiye...

MOKALSAR ki baat par MABBA joki SAPIUS aur REGIS ke saath thode piche khadi thi,woh aage aayi aur MOKALSAR ke side me khadi hui...

stage me saamne khade ho MABBA ne ek baar mujhe aur phir mere baaju me khade ACCHUTA,SLUNDER ko dekha aur...


MABBA-is baar EXERTION ek mahine pehle ho raha hai..iske 2 reasons hain..

pehla...is session me PHASE 2 ke study chart me ek extra activity add hui thi joki kuch dino pehle hi puri hui hai...

FORBIDDEN FOREST ke un do dino me sabhi SAVENTS ka kaafi progress hua hai aur isiliye hi sabke paas ek extra bonus mila hai competition me khudko taiyar karne ke liye..

dusri....mai dekh rahi hun ki is baar ke PHASE 2 batch me kuch zyada hi honhar aur talented SAVENTS aaye hain toh aise talents ko parakhne ke mouke me delay nahi hona chahiye...


MABBA ki is baat par teeno SOVEREIGN'S ke chehre par smile aa gayi thi...

khair,apni baat ko aage badhate hue....


MABBA-saath hi un talented SAVENTS ko apne full potential ko use me laane ke liye hi is baar EXERTION test kuch hatke hone waala hai...

aur woh aise ki har baar is competition me sirf STELLARS hi 100 percent authenticity se perform karte aaye hain..

GROOMERS aur WEAKLINGS sirf ek sidekick ki hi tarah is competition ka hissa rehte hain....

EXERTION me STELLARS ko kul 2 groups me baanta jaata aaya hai jisme dono hi groups apne suvidha ke anusar GROOMERS aur WEAKLINGS se apne pasand ke SAVENT ko chunte aaye hai....

par is baar aisa nahi hoga...

is baar EXERTION me GROOMERS aur WEAKLINGS STELLARS ki hi tarah equally participate karenge...

is baar competition sirf STELLARS ke beech nahi hoga,balki PHASE 2 ke teeno hi catagories teen groups bana ek dusre se bhidenge...

ye tha ek badlaav..ek aur change bhi hai is baar ke EXERTION me...par ye change sirf mere catagory,matlab ki STELLARS ke liye hai...

aur woh ye ki agar koi STELLAR SAVENT chaahe toh woh apne catagory ko represent naa kar dusre catagory ki taraf se bhi participate kar sakta hai....

that's all...


ye bol MABBA wapas piche hath gayi par uski last baat ko sun jisme usne kaha tha ki STELLARS SAVENTS dusre catagory se bhi participate kar sakte hain,zyadatar log samajh gaye the ki uska ishara mujhse, ACCHUTA aur SLUNDER se hai...

khair, anouncement puri ho chuki thi isiliye advance me hi EXERTION ke liye all the best bol nikal gaye teeno SOVEREIGN'S jiske baad MABBA humari taraf hi dekhti hui stage se utri aur thik mere, ACCHUTA aur SLUNDER ke saamne aakar khadi ho gayi...


MABBA-kya kaha tha tumne...isne mujhe challenge me haraya hai....


ACCHUTA ko dekh meri taraf point kar kahi ye baat MABBA ne aur phir apne baat ko aage badhate hue...


MABBA-ladke woh challege nahi the,bas maamuli demonstration the jisse koi bhi aira gaira jeet sakta tha...

competition toh woh hai jo aaj se thik 30ve din hone waala hai aur us din tum teeno ko pata chalega ki MABBA kis bala ka naam hai....

bohot ghamand hai naa khudpar..kya keh raha tha tu aaj class me, GROOMERS STELLARS se behtar hai...

dekh,teri baat ko tu sach saabit kar sake, isiliye tere raaste ko asaan kar diya maine...

EXERTION me tum teeno ko STELLARS me rehkar participate karne ki zaroorat nahi hai...

agar wakayi apne zubaan ke pakke ho aur apne parents ki sagi aulaad ho toh competition me ussi catagory ki taraf se participate karo aur jeet ke dikhao..

infact,jeetna toh bohot door ki baat hai,survive karke dikhao...


parents ki baat sun ACCHUTA aur SLUNDER ka dimag ghum gaya aur..


ACCHUTA/ SLUNDER-done....

ACCHUTA-hum survive bhi karenge aur aapse jeet kar bhi dikhayenge..


HAHAHA....

ACCHUTA ki baat sun zoron se has di MABBA aur..


MABBA-tumne apne death warrent par sign kar diya hai...ab bas encounter ki der hai...

jeetna toh door,i will make sure ki tum teeno us competition me zinda hi naa bach paao...

aur rahi baat tumhare chune catagory ki,toh tum teeno toh natija dekhne ke liye bachoge nahi isiliye result abhi se jaan lo ki GROOMERS hamesha second tha aur wahi rahega...

first position STELLARS ki hi rahegi...


ye bol ek look hum teeno kk de MABBA wapas palti hi thi ki tabhi...


MAI-arre kahan chal diye...itni lambi lambi baatein ki,kuch hamari bhi sunte jaaiye....

meri baat sun MABBA ruki,meri taraf palti aur...

MABBA-wahi mai sochu ki tumhara mooh abhi tak kaise nahi khula..???

MAI-woh sochiye jo sochne ke laayak jai aapka dimag... RAAZ ki soch par sochne ke liye abhi amatuer hain aap

khair,waise toh aapki koi bhi bakwas se ittefaq normally nahi rakhta mai,par aaj ki aapki kahi ek baat bilkul sahi hai...

GROOMERS ke second hone wali baat..ye bilkul sach hai ki GROOMERS EXERTION me second hi aayenge....

MABBA-arre waah,abhi se haar maan gaye tum...

MAI-haar aur RAAZ ek sentence me fit nahi hote... isiliye us part ko rehne dete hain..

aur meri baat ka matlab nahi samjhe aap...mai keh ye raha hun ki haan ye sach hai ki GROOMERS is baar EXERTION me second aayenge par isiliye nahi kyunki STELLARS first honge..

is baar EXERTION me first woh catagory hogi jisse aap kuch bhi nahi samajhti.... WEAKLINGS....

kyunki is baar WEAKLINGS ko represent RAAZ karega...


HAHAHAHAHAHA.......


meri baat sun MABBA ke saath kuch STELLARS jinme VALDIS bhi shamil tha,zoron se has diye...

par VALDIS MABEL ki wajah se direct insult nahi kar sakta tha meri isiliye..


VALDIS-bhai RAAZ...hum maante hain ki filhal tu is PHASE me sabse aage hai par tu itna aage bhi nahi hai aur naahi itna efficient hai ki WEAKLINGS ki taraf se participate kar STELLARS ko hara de...

SHAILA-bolne do VALDIS isse....bolne ke alawa kar bhi kya sakta hai ye....

WEAKLINGS EXERTION jeetegi...!!!hahaha....ek baar surya thanda ho gaya hai,ye ho sakta hai par WEAKLINGS ka EXERTION jeetna toh door usme kuch seconds tik paana bhi naamumkin hai...

jis catagory ke paas woh reed ki haddi tak nahi hai jiske sahare woh khudke dum par khadi ho sake,woh kya kisime jeetegi...

phir bhi,to make the CHALLENGE more interesting,agar WEAKLINGS me tum aur tumhara group jeetna toh door survive bhi kar gaye,toh i will quit from my position....


MABBA ki baat aur ye kahun toh galat nahi hoga ki MABBA ke arrogant aur negetive ATTITUDE ko dekh,sun HIDA ki saansein ghusse se fooli hui thi aur jab aakhir me MABBA ne ek naya challege diya toh...


HIDA-challenge accepted....


dheeme hi sahi par ek gurrahat ke saath nikle ye do shabd HIDA ke mooh se jisse sun ek pal ke liye sab shocked ho gaye...

jo HIDA hamesha se hi underconfident rehti thi,jiski aankhon me har waqt ek dar naachte rehta tha,woh aaj bekhouf MABBA ki aankhon me jhaank rahi thi...


MABBA bhi HIDA ke is confidence se bhare ATTITUDE ko dekhkar hairan hui par phir apne face par ek smile laa...


MABBA-offo...ab toh gunge bhi bolne lag gaye hain....

HIDA-aur jab gunge bolne lag jaayen toh samajh lena chahiye ki waqt badal chuka hai...

mera waqt badal chuka hai aur tera,khatm ho chuka hai....

kya kaha tune abhi,agar hum survive bhi kar gaye toh tu apni position se quit kar degi...

ek challenge tune rakha hai,ab ek meri sun...agar EXERTION me jeetna toh door,us competition ke aakhir me tu apne pairon par khadi bhi reh paayi,then i will quit..

par job nahi,i will quit my life...

ek mahina hi bacha hai tere paas.. apni position, fake respect aur power ko jee le is dauran kyunki uske baad inme se kuch bhi nahi rahega tere pass...

jitni insult aaj tak meri aur mere jaise simple logon ki tune ki hai,usse kahin zyada humiliate mai karungi tujhe us din...


dheere dheere chalte hue MABBA ke thik saamne pahunch uski aankhon me jhaank kahi ye saari baat HIDA ne jisse sun MABBA wakayi hairan thi..


itna confidence bhi aa jaayega kabhi HIDA ke andar,ye usne kabhi socha nahi tha par abhi jo baatein usne MABBA se kahi thi,woh bhi uski ek insult thi par SAVENTS ke saamne khule me woh kuch kar toh sakti thi nahi HIDA ko isiliye..


MABBA-pehle socha tha ki competition me tujhe ek baar phirse humiliate kar ke chhod dungi mai..

par ye badi badi baatein kar khud ka anth nishchit kar liya hai tune...

challenge me tune apni jis life ko stake par daala hai,ab mai ussi life ko apne pairon tale rondh dungi...

EXERTION is going to be the last day of your life HIDA....

HIDA- meri life khatm ho naa ho,par EXERTION me teri nayi life shuru hogi MABBA....dhyan se sun taki apni haar ke waqt gunje ye shabd tere is bhadde dimag me ki....



tere is ghamandi chehre ka naksha BIGAAD DUNGI MAI.....

woh guroor jo tere sir par hai, ek jhatke me usse UTAAR DUNGI MAI..

mout chaahegi tu,par milegi nahi....

ek nayi zillat se bhari zindagi tujhe UDHAAR DUNGI MAI......












AAJ KE LIYE ITNA HI.....


 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF SLUNDER AUR ACCHUTA STELLARS JOIN KARTE HAIN WAHIN DUSRI TARAF SOVEREIGN'S ANNOUNCE KARTE HAIN KI EXERTION COMPETITION THIK EK MONTH ME HONE WAALA HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



UPDATE-95



PLANET-ELYSIAN


PLACE-CHOSENS



WEEKLINGS CLASS:-








KYA EK SAWAL PUCH SAKTA HUN WHIZZ...????


HIDA ko wish karne ke baad ye sawal pucha BRAWNY ne usse jispar....


HIDA-sure.. pucho...!!!???

BRAWNY-mera SOUL 2 percent tak AMPLIFY ho gaya hai...aur jahan tak mujhe pata hai,aisa hone par class upgradation hota hai,fir mera kyun nahi hua...???


BRAWNY ke sawal par ek lambi saans chhodi HIDA ne aur....


HIDA-haan tum GROOMERS ke liye qualify kar chuke ho par mai chahti hun ki filhal tumhari training yahin WEEKLINGS ne ho...

BRAWNY-aap chahti hain yaa wo RAAZ...!!!


BRAWNY ki is statement me halki narazgi saaf jhalak rahi thi jisse HIDA ne bhaamp liya tha...


par kyunki BRAWNY ki baat galat nahi thi isiliye...


HIDA-aisa hi samajh lo...

BRAWNY-i knew it.. mujhe pata tha...us din FORBIDDEN FOREST me jaane se pehle jab wo aapke paas aaya aur aapse baat ki,tabhi mai samajh gaya tha ki zaroor woh mere baare me hi kuch bol raha hoga..

woh toh hai hi manupalative aur ghatiya..but you,how can you do this to me WHIZZ...???

kya aapko pata nahi hai ki ek WEAKLING ki zindagi kaisi hoti hai...???its shit...

aur mere saath mere mom dad bhi is shit me jee rahe hain... pehle mai hamesha khudse koft kiya karta tha ki meri disability ki wajah se mere mom dad bhi suffer kar rahe hain..

jab bhi PHASE 2 ki duniya dekhta tha, SAVENTS ko unke parents ke saath is duniya ki luxeries enjoy karte dekhta tha,toh khud se aur nafrat ho jaati thi mujhe..

continous humiliation ka saamna karta hua aa raha hun mai...par aaj,jab mai GROOMERS ke liye qualified hun,jisse mere saath saath mere mom dad ki life me bhi sukoon aa jaayega,woh sukoon jiski aas mujhe shuru se hai,toh aap us RAAZ ki baat maankar mujhse mera hakh chhin rahe hain....

mai bohot respect karta tha aapki WHIZZ,par ab nahi...mai jaa raha hun SOVEREIGN'S ke paas apni sahi jagah par transfer ki baat karne ke liye...


apni baat yaa phir ye kahun ki bhadas nikal BRAWNY muda aur aage badhne ko hua par tabhi...


HIDA-ek second BRAWNY.. apni baat toh keh ki tumne,ab jaane se pehle meri bhi sunte jaao...


HIDA ki awaaz me halka sa ghussa saaf jhalak raha tha aur iska reason ye nahi tha ki BRAWNY ne usse kaha ki ab woh uski respect nahi karta,iska reason tha BRAWNY ka RAAZ ke liye negetive words kehna..

khair, HIDA ki awaaz sun BRAWNY rooka aur wapas HIDA ki taraf palta jispar HIDA aage badhi aur thik uske saamne khade ho gayi...


HIDA-who the hell do you think you are...??saamjhte kya ho tum apne aap ko....???

kya words use kiye RAAZ ke liye tumne abhi.... manupalative...ghatiya....

let me tell you something...jis 2 percent AMPLIFICATION power ki wajah se aaj tumhe ye lag raha hai ki aisa hone k baad bhi tumhare saath zyaadti ho rahi hai,tumhe tumhare upgradation se roka jaa raha hai,wo AMPLIFICATION tumhe apni mehnet se nahi balki ussi manupalative aur ghatiya RAAZ ki wajah se mila hai....

sirf isiliye kyunki RAAZ ne tumhare hidden power ko bahar nikalne me tumhari madad ki,tumhe as a gift ye 2 percent AMPLIFICATION mila hua naaki isiliye kyunki tum aisa deserve karte ho...

right now,tum ek looser hi ho kyunki apne dum par tumne abhi tak kuch haasil nahi kiya hai...

one more thing,haan ye sach hai ki RAAZ ne mujhe tumhe issi class me rakhne ko kaha tha but iska ek reason tha..

aur woh reason ye hai ki jo GOD GIFT tumhe mila hai,woh ek gift ke saath saath curse bhi hai...

kyunki aisa gift har kisiko nahi milta...aur jis jagah tum khade ho,woh jagah us curse ko activate karne ke liye perfect jagah hai..

CHOSENS ki neev achayi aur burayi par nahi balki taakat par rakhi gayi hai aur aise me agar kisiko ye pata chal jaaye ki tumhare paas ek extra shakti hai jo SAVENTS me bhi normal nahi hai, toh your life would be on danger...

saath hi kyunki mere paas bhi GOD GIFT powers hai aur saath hi ek WHIZZ hone ke naate experience bhi,isiliye RAAZ chahta tha ki mai hi tumhari training aage badhaun kyunki mere alawa filhal tumhari actual powers ko samajh unke mutabik tumhe aur koi train nahi kar sakta....

lastly,bhale hi tumhara SOUL 2 percent tak AMPLIFY ho chuka hai par tumhara first REFINER abhi bhi soya hua hai aur isiliye tumhari GOD GIFT power unstable hai...

bina REFINER activation ke agar tum GROOMERS me gaye toh tumhari chuppi hui GOD GIFT powers bhi sabke saamne unfold ho jaayegi..

WEAKLINGS hi ek maatra aisi class hai jahan koi dhyan nahi deta aur isiliye,tumhari powers ka secret sirf yahin safe hai...

phir bhi,agar tumhe GROOMERS catagory me jaana hai toh koi baat nahi..kal se tum ussi class me baithoge but itna yaad rakhna,aisa karkar khudpar toh tum musibat mol loge hi par saath hi tum apne mom dad ki life bhi khatre me daal doge...

but,all said and done,you are free to choose your way...jao SOVES ke paas...


jahan apni saari baatien bol HIDA haath baandhe apni jagah khadi ho gayi wahin BRAWNY bui apni jagah par aur jhukaye khada hi raha jisse dekh...


HIDA-ek baat aur....abse tumhe jo mai extra training re rahi hun,woh nahi de paaungi...


HIDA ki baat sun BRAWNY ka jhuka sir ek jhatke se upar utha.

is waqt uske face par bechargi dikh rahi thi..usse lag raha tha ki uski kahi baaton ki wajah se HIDA ne ye faisla liya hai...

wahi HIDA bhi BRAWNY ke man me chal rahi baat ko taad gayi thi aur isiliye..


HIDA-mujhe tumhe training naa dene ki wajah wo baatein nahi hai jo tumne abhi kahi..

baat darasal ye hai ki RAAZ chahta hai ki tumhari aur meri,hum dono ki aage ki training uske saath ho..

ab mai toh iske liye taiyar hun par tum toh us manupaltive bande se kuch sikhoge nahi...

isse shayad tumhari self respect ko aghaat pahunch sakta hai...


chehre par ek khilli udane waali smile ke saath kahi thi ye baat HIDA ne jiske baad bhi jab BRAWNY chup hi raha tha...


MABBA-anyways,jitna develop tumne abhi tak khudko kiya hai,woh tumhe GROOMERS me pahunchne ke liye aur ek comfortable life dene ke liye kaafi hai aur i guess bas itna hi toh chahiye tumhe...

life ki challenges,khaas kar yahan CHOSENS ke tough competition me excel karne ka jasba toh tumme hai nahi toh phir tention bhi kis baat ki...

khair, class time over ho chuka hai,jaa sakte ho tum...par haan,ek general interest ke liye bata deti hun ki training area tumhare quater ke aage jo trees ka jhund hai,uske piche ke maidan me rakha gaya hai.

mood hua toh aa jaana....


jahan ye bol HIDA BRAWNY ke side se hote hue aage badh gayi wahin BRAWNY uske jaane ke baad bhi kuch der wahin khada kuch sochta raha par phir woh bhi apne quater ki taraf nikal gaya...







PLACE-NEAR WEAKLINGS STAY






KUCH BHI BOL BHAI....YE JAGAH BOHOT PASAND HAI MUJHE...

chaaron taraf nazar ghumate hue kahi thi ye baat ACCHUTA ne jisse sun SLUNDER bas muskura diya....

shaam ka waqt hai,aur is waqt ACCHUTA aur SLUNDER WEAKLINGS stay se thoda aage bane maidan me aaye hue the...

jahan is waqt ACCHUTA aur SLUNDER maidan ke beech me khade the,wahin mai us maidan ke chaaron ends me chakkar laga raha tha aur aisa karte hue kuch uccharit bhi kar raha tha...

kuch hi der me chakkar pura ho gaya aur mai pahuncha wapas ACCHUTA aur SLUNDER ke paas...


ACCHUTA-bhai,plot kharidna hai kya jo maidan naap raha hai tu..???

MAI-haan,teri samadhi ke liye jagah toh chahiye naa...

HAHAHAHA...


pehle ACCHUTA ki baat aur phir mere reply ko sun zoron se has diya SLUNDER jispar...


ACCHUTA-hahaha..nipor le daant....wahi toh aata hai bas tujhe...

SLUNDER-abbe kuch toh aata hai...teri tarah khaali dabba toh nahi hun mai...

HEY GUYZZZ...


SLUNDER ki baat ka ACCHUTA jawab deta ki tabhi hamare saamne se aati HIDA ne hame wish kiya jispar ACCHUTA aur SLUNDER ne bhi usse wish kiya....

ACCHUTA, SLUNDER aur HIDA,in teeno ko hi mai ek dusre hidden powers ke baare me bata diya tha aur isiliye naa HIDA ako aur naahi ACCHUTA, SLUNDER ko shock laga tha saamne waale ko yahan dekh....


khair, HIDA ke aate hi....


MAI-shuru karte hain....

ACCHUTA-bhai woh BRAWNY nahi aaya...

MAI-toh....wait karna hai...???


maine jo bola aur jis tarah se bola,usse sun aage kuch bol nahi paaya ACCHUTA...


MAI-har sawari ko apne samaan ki khud zimmedari leni hoti hai..jo nahi le sakta,woh uska ghaata hai jo usse hi jhelna hai...


I AM HERE....


meri baat khatm hote hi mere piche se awaaz aayi joki BRAWNY ki hi thi jisne shayad meri baat bhi sun li thi..

khair, uske awaaz par baaki teeno ki nazar uspar gayi par mai jaise khada tha,waisa hi khada raha...

is beech BRAWNY bhi chalta hua HIDA ke paas aakar khada ho gaya tha jispar...


HIDA-good decision BRAWNY....acha laga tumhe yahan dekh...

MAI-saamne aao mere sab...


meri baat sun woh chaaron mere saamne aakar side ways khade ho gaye aur tab...


MAI-ACCHUTA, BRAWNY,HIDA....kal INSTITUTION me jo hua,tum teeno ne jo bhi kaha,woh bolne me jitna asaan tha,usse karna utna hi mushkil hone waala hai....

MABBA is really strong aur saath hi chhal kapat bhi bhara hua hai usme...

usse bas apni jeet se matlab hai,us jeet ke liye woh sahi galat nahi dekhne waali and this is a good thing....

tum chaaron ko jo GOD GIFTS mile hain,unki ek khaasiyat ye bhi hai ki woh GIFT tumhare AMPLIFICATION mode, EMOTIONS power aur saath hi SPELL POWER ki strength ko bhi multiply karta hai..

apne GOD GIFT ki madad se aadhe potential ke saath bhi tum chaaron ka bola gaya koi bhi SPELL kisi bhad strong sorcerer ke destruction SPELL se bhi zyada khatarnaak hai...


meri baat sun un chaaron ki aankhon me chamak aa gayi par ye chamak meri aage ki baat sun maayusi me bhi badal gayi aur woh aise ki...


MAI-but problem ye hai ki tumhari SAVENT shakti ko tumhare GOD GIFT ke saath tum teeno synthesize nahi kar sakte....


ACCHUTA-synthesize nahi kar sakte matlab...!!!

MAI-matlab ye ki jo bhi maine kaha,ye possible tab hi ho sakta hai jab tumhari chaaron AMPLIFICATION modes tumhare GOD GIFT ko swikar kar usse apna hissa maan len par unfortunately tum aisa nahi kar sakte...

aur woh isiliye kyunki SAVENTS ke chaaron AMPLIFICATION modes ek robotic system jaise hote hain joki BRAIN,BODY, BLOOD aur SOUL ke hisaab se hi function karte hain par jo GOD GIFT tum sabko mila hai,uski shakti tumhare HEART me hai jisse baaki ke chaaron AMPLIFICATION modes ke saath jodne ke liye jo karna hoga,woh khudse tum kar nahi paaoge aur agar kar bhi liya, toh uske baad bhi aage ka proccess tum nahi kar sakte...

HIDA-but RAAZ,maine toh apne GOD GIFT ka istemaal apne chaaron AMPLIFICATION modes ke saath connect karkar kiya hai.tumne toh dekha bhi hai...

MAI-nope..tumne apne GOD GIFT ka nahi,bas usse release hone waale AURA ka use apne AMPLIFICATION modes ke saath merge karkar kiya hai...

agar us AURA ke jagah wakayi tumhare GOD GIFT se nikli urja AMPLIFICATION modes ke saath merge hoti,toh uske baad tumhara BODY AURA hi itna strong ho jaata ki uske 10 percent release hone se hi saamne waale ka khel khatm ho jaata....(ANWIR & FRIENDS)...

SLUNDER-toh iska matlab hum kabhi bhi apni asli shaktiyon ka istemal nahi kar paayenge....

ACCHUTA-yaar usse bhi important sawal ye hai ki RAAZ ne kuch der pehle kaha tha ki agar kisi tarah humne apne apne GOD GIFT ko apne chaaron AMPLIFICATION modes ke saath jod bhi liya toh bhi uske aage ka proccess nahi kar paayenge...

aise kyun...???

MAI-kyunki agar tumhare HEART ne tum sabko mile GOD GIFT ko tumhare chaaron AMPLIFICATION modes ke saath jod bhi diya toh aise karte hi tum sabka heart beat karna band kar dega..

in short,u all will die...


meri baat sun jhatka laga un chaaron ko...kisiko bhi samajh nahi aa raha tha ki aage kya karna chahiye isiliye..


SLUNDER-toh iska matlab hume mile GOD GIFT ka koi mahatv nahi hai..hum kabhi usse thik se use nahi kar paayenge....

ACCHUTA-aur bina apni shaktiyon ko enhance kiye EXERTION me MABBA ko beat karna toh impossible hai....


woh chaaron hi behad dukhi lagne lage the jisse dekh...


MAI-maine ye kaha ki tum chaaron apne shaktiyon ko synthesize nahi kar sakte,ye toh nahi kaha ki aisa hoga hi nahi....


meri baat sun un sabke jhuke hue sir ek jhatke me upar ho gaye....

jahan kuch pal pehle tak unki aankhon me nirasha dikh rahi thi,wahin ab ussi aankh me chamak dikhne lagi thi...

khair,meri baat sun...


ACCHUTA-bhai, mujhe pata tha ki jo sirf problems ginaye,woh RAAZ nahi ho sakta..tere paas har problem ka solution hona hi hona hai..

jaldi bata bhai, humari problem ka solution....jo bhi karna pade,hum karenge...


MAI-koi nayi baat nahi hai,tum chaaron ko wahi karna hai jisse sun kuch der pehle tum chaaron ko jhatka laga tha..

tum chaaron ko marna hoga...

ACCHUTA-bhai,mazak mat kar yaar...

MAI-mazak nahi hai ye...tum sabke GOD GIFT tum sab khudse apne apne AMPLIFICATION modes ke saath nahi jod sakte..

ye kaam mujhe karna hoga... mujhe tum sabse judte hue tum sabke GOD GIFTS ko tumhare HEART se bahar nikaalte hue tumhare AMPLIFICATION modes se jodna hoga...

par jab mai is prakriya ko karunga,toh tum sabke heart beat kuch der le liye rook jaayenge matlab tum sab mar jaaoge...

par ek baar tum sabke chaaron AMPLIFICATION modes ne tumhare GOD GIFT ko accept kar liya,aur tumhare heart se jud gaye toh heart beat phir se shuru ho jaayegi...

ACCHUTA-toh aisa bol naa bhai ki sirf temporary heart beat skip hoga hamara...tune toh dara hi diya tha...

MAI-waise agar apni life se pyar hai toh darne ki baat toh hai hi..

kyunki ye zaroori nahi hai ki mai us prakriya ne 100 percent successful rahunga....mere kaamiyab hone ke chances sirf 50 percent hi hai aur agar mai naakamiyab hua,toh tum sab real me mar jaaoge..

so the point is ki agar trust hai mujhpar toh hi aage badho...


jahan meri baat sun BRAWNY ne man bana liya ki mere bharose woh apni life ka risk nahi uthayega wahin meri baat complete hue ek second bhi nahi hua tha ki tabhi..


HIDA/SLUNDER/ACCHUTA-done....hum taiyar hain..


un teeno ki baat sun wapas apne quater jaane ke liye kadam badha chuke BRAWNY ko jhatka laga aur woh turant un teeno ki taraf palta aur...


BRAWNY-aap sab ka dimag kharab hai kya...???kya aap teeno ne theek se suna bhi hai ki isne abhi kya kaha hai...

apne GOD GIFT ki shamata ko bahar nikalne ke liye hume apni zindagi iske bharose daaw par lagani hogi...

ACCHUTA-6 feet door khade hain bhai hum RAAZ se...aur bola bhi usne itni zor se hai ki saari baatein sun bhi ki thi humne aur samajh bhi li thi...

tujhe repeat karke guruji banane ki zaroorat nahi hai....

BRAWNY-par...

HIDA-get lost BRAWNY....tum aaye hi kyun...tumhare jaise negetive bande ki jagah nahi hai yahan...

aur waise bhi,MABBA ke saamne khade hokar usse challenge maine, ACCHUTA aur SLUNDER ne kiya hai...

daaw par humari izzat aur zindagi lagi hai, tumhari nahi..

infact,tumhari izzat toh waise bhi nahi hai aur jaisa tumhara ATTITUDE hai,aage hogi bhi nahi...

mat bhoolo ki jis 2 percent SOUL AMPLIFICATION par tum pahunche ho,woh bhi ussi GOD GIFT ki wajah se hai jiske asli shakti ko hume bahar nikalna hai..

bina aisa kiya,us GIFT ka koi matlab hi nahi hai..but tumhe kya,tum toh issi baat se content feel kar rahe hoge ki kaksekam flat me toh upgrade ho hi gaye...

subah tumne kaha tha naa ki taklif hoti hai tumhe jab tum baaki SAVENTS ko joki GROOMERS aur STELLARS me hain,apne mom dad ke saath PHASE ki zindagi enjoy karte dekhte ho...

woh taklif bematlab ki hai BRAWNY..kyunki woh sabhi SAVENTS enjoy karna aur apne parents ko enjoy karwana deserve karte hain,tum nahi...

bina koi GOD GIFT ke woh sab ek mukaam par pahunch paaye hain aur tum bas ek loutrey jeete ho..

yahan abhi jo RAAZ ne kaha,woh aise pehla challenge tha,jiska hissa ban tum ye saabit kar sakte the ki you are rare and a deserving person to have the GOD GIFT you possess...

but unfortunately you deserve nothing...

aur haan,tum bhul sakte ho ki tumhari GIFT RAAZ hi ki wajah se trigger ho paayi hai,mai nahi,infact hum teeno nahi isiliye jo RAAZ bolega,hum karenge....


ek saans me ye sab bolti chali gayi HIDA jisse sun BRAWNY ka sir aaj din me dusri baar neeche hua par phir woh chupchaap aage badha aur ACCHUTA ke side me jaakar khada ho gaya jiska matlab tha ki woh bhi aage ke process ke liye ready hai...

uske aisa karte hi meri aur HIDA ki nazar aapas me ek pal ke liye mili aur aisa hote hi HIDA ke face par smile aa gayi....

reason...

jo abhi HIDA ne kaha, waisa hi kuch react karne ke liye maine hi HIDA se kaha tha...

mujhe maalum tha ki meri baat sun proccess aage badhane ke liye ACCHUTA, SLUNDER aur HIDA bhi maan jaayenge par BRAWNY nahi aur woh bhi maan jaaye,iske liye ye kadwe vachan zaroori the jo ab saabit bhi ho gaya...

par itni planning kisliye...

toh chaliye,aage badhne se pehle saare ganit ko samajh lete hain..


toh baat ye hai ki kal subah the GREAT HALL me jab mai khada tha,tab mere andar moujud DHANUR ne wahan khade sabhiko mehsoos kiya tha aur aisa kar wahan moujud GOD GIFTED SAVENTS ki shaktiyon ko feel kar unhone kaha ki mere shakityon ko sahi tarike se strong karne ke liye mujhe kamsekam 4 extra GOD GIFT shaktiyon ki zaroorat padegi.

unhone ye bhi bataya ki isme sirf mera hi nahi balki un chaaron GOD GIFTS ka bhi faayda hoga kyunki woh GIFTS trigger toh ho gaye hain par chaaron AMPLIFICATION modes ke saath puri tarah connect nahi aur aisa woh sab khudse nahi kar sakte,iske liye mujhe hi mehnat karni hogi...

ab ye mehnet actually me hai kya,iska sirf aadha bhaag hi unhone mujhe bataya tha aur baaki ka adha,mujhe thodi der me pata chal jaana tha....

par itna andaza mujhe ho chuka tha ki ye mehnet,ye kaam jo ab mere zimme tha,ye asaan toh bilkul nahi hone waala hai...

khair,ab jo bhi hai,karna toh padega hi.... BRAWNY ne bhi khamoshi se humare beech aakar apni razamandi dikha di thi aur isiliye...


MAI-shuru karte hain.... CEREBRATION process ko pause kar apni apni GOD GIFT par focus karoge tum sab aur aise karne par jab tumhare andar ek roshni dikhe toh mere chehre ko apne andar paida kar tum sabko....

UPAYODITAM

CONNECT

is SPELL ko uccharit karna hai...tumhara kaam khatm...


meri baat sunane ke baad bina kuch kahe un chaaron ki aankhen band ho chuki thi aur phir jaise hi paused CEREBRATION mode me un chaaron ko apne andar roshni dikhi toh un sabne mere face ko yaad kar UPAYODITAM SPELL uccharit kiya aur unke aisa karte hi un chaaron ke andar se ek RAY nikli jo ki pure WHITE ENERGY se bane un chaaron ke GOD GIFT ki thi....

woh ray un chaaron me se nikal theek mere seene ke upar padi...jab woh chaaron apna kaam kar rahe the,tab maine bhi apne stabled EMOTION power ko apne HEART ke aage kar diya tha aur isiliye woh chaaron ray us power par hi padi aur jab aisa hua toh...

mere us power ne un chaaron rays ko jaise khudme bandhte hue jakad sa liya....


VIJVATE DAROMANE

THE PROHIBETED SPACE


mere stabled EMOTION power se un chaaron rays ke judte hi maine is SPELL ko bola aur jab aisa hua toh

mere andar se ek ke baad ek woh saare books bahar nikalne lage jo PROHIBITED ARCHIVE me mujhme samaye the...

bahar nikal woh books jahan hum khade the,us maidan ke chaaron ends me jahan kuch der pehle mai chal raha tha aur saath hi VIBHITUJANETAHAM naam ka SPELL,jiska matlab hota hai HOLD THE PRESSURE, uccharit karta jaa raha tha,un areas me zamin se kuch feet upar jaakar rookne lage aur dekhte hi dekhte jab woh saare books us maidan ke chaaron kono me faile gaye toh...

ek GREY light joki WHITE AUR BLACK ENERGY ka mishran hoti hai,woh paida hui aur aisa hone ke agle hi pal us maidan ke upar hawa me hi ek baar phirse PROHIBITED ARCHIVE dikhne laga par is baar kyunki uske andar koi book nahi thi balki woh jagah hi BOOKS me chuppi shaktiyon se bani thi, isiliye ARCHIVE naa hokar woh jagah bas ek SPACE thi..

ek aisi SPACE jahan mujhe milne waali thi ek bohot hi strong CHUNOUTI jisse paar karne ke baad hi mai apni asal shaktiyon par control paa sakta tha...

khair,jahan ek taraf mai us SPACE ke nirman me laga hua tha,wahin dusri taraf SPELL bolne ke baad apna kaam khatm kar un chaaron ne apni apni aankhen khol di thi aur aisa kar jab unki nazar mujhpar padi,toh mere andar se books nikalte dekh woh teeno hairan hue aur woh hairani tab apni parakashtha par pahunchi,jab un chaaron ki nazar maidan ke chaaron taraf padi jahan dheere dheere ek bada sa building banane laga tha...

khair,ye sab dekhne ke baad bhi,taaki mujhe disturbance naa ho,woh chaaron chup hi rahe aur jab woh FORBIDDEN SPACE bankar ready hua toh...


MAI-aao mere piche... pehle pedestal par pair rakhte hi taklif honi shuru hogi tum chaaron ko jo har guzarte pal ke saath badhti jaayegi,par kisi bhi haal me is SPACE ke andar pahunchna hai tumhe...


ACCHUTA-bhai ye hai kya..???

MAI-yahi woh jagah hai jahan se tum sabke GOD GIFTS unwind hone shuru honge,par ye asaan nahi hoga...

naa mere liye aur naahi tum sabke liye...

ab chalo...


ye bol mai us SPACE ke entrance se pehle bane sidhiyon ki taraf badh gaya aur mere piche ho liye woh teeno...

sidhiyon ki shuruat hi zamin se 1 feet upar se thi jispar apne kadam rakh mai upar chadh gaya aur jab mere baad un sabne bhi us pehli sidhi par apna apna pehla kadam rakha toh...

AAHHHH.......


ek ajeeb sa dard utha un chaaron ke dil me jiske agle hi pal un sabki saansein bhaari hone lagi...

un chaaron ki dard bhari karah sun mai unki taraf palta aur..


MAI-taklif abhi aur badhegi...himmat rakho aur andar aa jaao...


ye bol mai palat kar SPACE ke entrace door joki khula hua tha,andar chala gaya...

wahin pehle step ke baad jab un chaaron ne apna second step liya toh...

agle hi pal woh chaaron apne apne ghutno par aa gaye...

unhe aisa lag raha tha jaise kisine unhe unke andar se hi rokna shuru kar diya hai..

saansein tez aur dil ki dhadkan kam hone lagi thi unki jisse mehsoos kar unhe yaad aayi meri baat jisme maine ye kaha tha ki unki heart beat karna band kar degi...

us thought ke dimag me gunjte hi woh chaaron samajh gaye ki unke paas zyada samay nahi hai....

is thought ke dimag me aate hi ek baar ek dusre ko aur ek baar saamne bachi sidhiyon ko joki kul 8 bachi thi,unhone ek baar zor se saans andar baharbki aur...


apni jagah khade ho un chaaron ne hi ek doud laga di...

har guzarte waqt ke saath un chaaron
ki dhadkan aur pair,rookne lage the par kisi tarah khudko sambhalte hue woh aage badhe aur...


BHAADHHH....


ek saath woh chaaron hi entrance door se hote hue andar pahunche par aisa hote hi woh chaaron ladkhadate hue neeche gir chuke the yaa phir ye kahun ki MAR CHUKE THE...

un chaaron ki hi dil ki dhadkan band ho chuki thi....

saath hi jaise hi woh chaaron is PROHIBITED SPACE ke andar aaye, darwaza band ho gaya aur ye jagah gayab ho gayi....

khair, jaise hi un chaaron ki dil ki dhadkan band hui,mai joki andar khada un chaaron ka hi wait kar raha tha,apne ghutno par aa gaya...

reason...

jabse mera stabled EMOTION un chaaron ke GOD GIFT powers se attach hua tha,tabse mera HEART un chaaron ke dil ka ek tarah ka VENTILATOR ban gaya tha..

aur jaise jaise un chaaron ke dil ki dhadkan kam ho rahi thi,mere dil ki dhadkan badh rahi thi..

ek tarah se ye keh sakte hain ki ab mera dil mere saath saath un chaaron ke liye bhi dhadak raha tha..

aur jab un chaaron ke heart ne dhadakna band kiya toh meri heart beat hadh se zyada badh gayi aur issi wajah se mujhe saans lene me taklif hone lagi aur mai neeche baiththa chala gaya..

mera sir bhi ghumne laga tha jiski wajah se mai thik se concentrate bhi nahi kar paa raha tha...

yahan mai khudke is condition se ladh hi raha tha ki tabhi...


DHANUR-agar is condition se bahar aana chahte ho toh saamne dekho RAAZ aur paar karo is padhav ko...


DHANUR ki awaaz jaise hi mere andar gunji toh lambi lambi saansein lete hue maine kisi tarah khudko control kiya aur saamne ki taraf nazar uthayi jahan is waqt GREY COLOUR me hi kuch likhata jaa raha tha..

excessive heart beat ki wajah se meri nazarein bhi kamzor ho gayi thi...

par phir bhi jab kisi tarah maine saamne likhi hue aksharon ko padhne ki kosish ki toh mere sir ka dard badhne laga aur mai behosh hone laga..

mujhe pata tha ki agar mai saamne likhi akshron ko padhne se pehle hi behosh ho gaya toh puri tarah lag jaani hai meri.

task shuru hone se pehle hi haar jaaunga mai isiliye apne pure FOCUS ko apne aankhon me laa saamne dekha maine aur padhna shuru kiya...


MAI-

kuch aise bhi hain,jinke pure
KHWAAB NAA HUE...

jo roz roz jalte hain,phir bhi kabhi
KHAAKH NAA HUE....

ajeeb hai niyati,jisne kuch aise diye banaye,

jo bujh toh gaye par jalkar bhi RAAKH NAA HUE.....













AAJ KE LIYE ITNA HI......







 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF HIDA BRAWNY KO CLASS ME ACHA KHAASA SUNA DETI HAI WAHIN DUSRI TARAF PROHIBITED SPACE KE ANDAR PAHUNCHKAR ACCHUTA, SLUNDER,HIDA AUR BRAWNY KE DIL KI DHADKAN BAND HO JAATI HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



UPDATE-96



PLANET-ELYSIAN


PLACE-THE PROHIBITED SPACE







kuch aise bhi hain,jinke pure
KHWAAB NAA HUE...

jo roz roz jalte hain,phir bhi kabhi
KHAAKH NAA HUE....

ajeeb hai niyati,jisne kuch aise diye banaye,

jo bujh toh gaye par jalkar bhi RAAKH NAA HUE.....


MAI-SAVENTS SOUL......


mujhse kuch door mere saamne bane aksharon ke samuh ko padhte padhte hue mai behosh ho chuka tha..

aur aisa hote hi meri body se meri SOUL bahar nikal gayi aur un shabdon ko dobara padh joki ek paheli thi,uska jawab diya jiske baad...

PROHIBITED SPACE ki har diwar ka colour jo ki ab tak WHITE th,badalne laga aur kuch hi der me un duwaron se kuch WHITE,aur kuch BLACK aakrutiyan nikal jahan woh paheli likhi gayi thi,wahan pahunch ikattha hone lage...

mere saamne is waqt do aakrutiyan thi..

left taraf ki aakruti WHITE colour ki thi aur right taraf ki aakruti BLACK colour ki..

apni apni jagahon me pahunchne ke baad woh WHITE aakruti meri taraf badhne ko hui par tabhi...

BLACK colour ki aakruti ne unhe wapas kheench khudme lapet liya...

aisa hote hi us WHITE aakruti me kampan yaa phir ye kahun ki BLACK aakruti ke changul se chhutne ke liye chhatpatahat hone lagi par phir bhi woh chhut naa paayi..

aur tab us WHITE aakruti ke ek hisse ne haath ka shape liye khudko meri taraf kiya maano mujhse help maang rahi ho aur usse aisa karte dekh mai bhi joki filhal ek SOUL hi tha,turant aage badha aur us haath ko thaam liya..

aur tabhi....

woh WHITE aakruti ke haath ko wapas kheenchte hue BLACK energy ne mere haath ko bhi pakad liya aur apni taraf kheenchne laga..

usse aisa karte dekh maine bhi apna dum lagaya taaki mai uski taraf naa khichaun....

aur jab maine aisa kiya toh...


KHUDKO MAT ROKO RAAZ...CHALE JAO US KAALI AAKRUTI KI TARAF....

US AAKRUTI KE ANDHKAR KO HI TUMHE ROSHAN KARNA HAI....


ye awaaz mere behosh pade sharir ke andar se aayi thi jisse sun...


MAI-kya ye aap hain DHANUR..???

DHANUR-haan,ye mai hi hun...meri aatma ne hi tumhe zinda rakha hua hai..

par ye sirf luch der ke liye hi sambhav hai..tumhe apne chunouti ko shighr pura kar wapas apne sharir me loutna hoga....

MAI-par ye KAALI AAKRUTI hai kya..???aur isne is WHITE aakruti ko kyun kabze me kiya hua hai aur ab ye mere saath bhi yahi kar rahi hai...

DHANUR-ye WHITE aakruti un SAVENTS ki SOULS hai jo aaj se 24 hazar saale pehle mare the....

aur jis BLACK ENERGY ne usse ghera hua hai,woh un WHIZZES aur WHIZZDERS ki hain jinhe VIDEOUS ne apni shakti se banaya tha...

SAVENTS ki SOUL ko yahan se nikal heaven hi jaana hai jabki un WHIZZDERS aur WHIZZES ko us andheri duniya me anantkaal tak bhatakna hai jo DEVILS aur paapiyon ke liye banayi gayi hai....

aur ussi andhakar se bachne ke liye in BLACK SOULS ne WHITE SOULS ko pichle 24 hazar saal se baandh kar rakha hua hai...

jab tak ye WHITE SOULS yahan han,tab tak BLACK SOULS bhi us andheri duniya me jahan hamesha ke liye ye tadapte rahenge,jaane se bache hue hain...

tumhe dekh tumse in BLACK SOULS ko ussi shakti ka abhaas hua jo inke maalik VIDEOUS se hota tha par saath hi ek purity bhi jhalki tumhare SOUL ke AURA se jisse ye samajh gaye ki tum inke dost nahi shatru ho....

isiliye ye tumhe bhi hamesha ke liye apni duniya me bandhkar rakhna chahte hain aur tumhe bhi wahin jaana hai....

tumhe us duniya ko andar se hi khatm karna hoga aur sirf tabhi tum un WHITE SOULS ko azaad karwa paaoge....

MAI-isme mera kya faayda....???

DHANUR-kabhi kabhi dusron ke faayde me apna bhi laabh chhupa hota hai....

tum bas karm karo, fal apne aap mil jaayega....

haan,bas itna yaad rakhna ki andhera sirf roshni se hi gayab hota hai....


DHANUR ki baat khatm hote hi maine apne aap ko dheela chhod diya aur aisa hote hi us BLACK SOUL ki aakruti ne mujhe apni taraf tezi se kheencha jiske agle hi pal...

mai ek andheri duniya me tha...

chaaron taraf andhakar hi andhakar tha..mujhe kuch bhi dikhayi nahi de raha tha..

aage kya karna hai,ye mai soch hi raha tha ki tabhi...

mujhe aisa laga jaise koi mere chaaron taraf tezi se ghum raha hai aur dekhte hi dekhte us KOI ne joki BLACK ENERGY se bani moti si chaadar thi,mujhe sir se lekar pair tak khudme lapet liya aur jab aisa hua toh...

mujhe aisa laga jaise mai kisi gehri khaayi me gir raha hun...

ek ajeeb sa sunapan mehsoos kiya maine..aisa lagne laga tha mujhe jaise kisine meri saari positive bhaavna ko,jisse mai khush reh sakta hun,baandh diya hai..

bina wajah ke hi bohot dukhi mehsoos karne laga tha mai aur ye bhaavna har guzarte pal ke saath badhti hi jaa rahi thi aur tabhi...


KHUDKO KAALI SHAKTIYON KE HAWALE KAR DO....IS HINN BHAAVNA SE MUKTI MIL JAAYEGI TUMHE...

WARNA ANANTKAAL TAK YUNHI MAANSIK PIDA SE GUZARTE RAHOGE TUM...


kayi saari male female ke mishran se bhari awaaz joki unhi BLACK ENERGY se bane WHIZZDERS aur WHIZZES ki thi,gunji mere kaano me jiske baad....

meri aankhen band hoti chali gayi....

ANDHERA SIRF ROSHNI SE HI GAYAB HOTA HAI.....


mere aankh band hote hi mujhe DHANUR ke kahe ye aakhri shabd yaad aaye jiska matlab samajhte hi..

us negetive feeling ke beech mere andar FLORIN aur MARIA ka mujhe care karna, ACCHUTA aur SLUNDER ke aapsi bematlab ke jhagde,unka hasi mazak chalne laga aur jab aisa hua toh mujhe apne andar aur bahar us ghane andhere ke beech roshni ki ek halki si kiran dikhne lagi...

aur tabhi mujhe woh pal dikhe jab ACCHUTA aur SLUNDER apni puri feelings ke saath mujhse gale lage the aur unke baad maine mehsoos kiya us pal ko jab MARIA aur FLORIN ne mujhe pyar se hug kiya tha aur jab aisa hua toh..

woh halki si roshni ki kiran achanak se hi ek tez ujale me badal gayi jiske baad...

AAHHHHH............

is cheekh ke saath aakhen khul gayi meri...

maine dekha ki mai wapas PROHIBITED SPACE me pahunch chuka hun...

mujhse kuch door mere saamne ek baar phirse BLACK aur WHITE aakrutiyan thi par jahan right ki taraf WHITE aakruti azaad khadi thi wahin left ki taraf ki aakruti aag me jal tadap rahi thi aur dekhte hi dekhte woh aakruti gayab hone lagi

aur jaise hi woh aakruti gayab hui toh right ki taraf khadi WHITE aakruti ne roop lena shuru kiya aur kuch hi palon me mere saamne hazaron ki taadat me mere hi umar ke ladke aur ladki khade the joki mujhe pata tha ki wahi ex SAVENTS hain jinki SOUL yahan kaid hokar reh gayi thi..

khair,apne apne SOUL form me aane ke baad woh sabhi mere aage jhuk gaye..


MAI-khade ho jaao..


mere aisa bolte hi woh sab khade hue aur phir saamne ki row ke beech me jo khada tha,uske labh hile aur..


SOUL-is kashdayi shaapit haalat se bahar nikalne ke liye dhanyawaad RAAZ....

MAI-koi baat nahi...ab aap sab azaad hain....HEAVEN aapka wait kar raha hai, jaayiye....

SOUL-hum aapko kuch dena chahte hain...yahan par jitni bhi books hain,unme hum sabki woh shaktiyon ke saath woh siksha bhi hai,jo humne ek SAVENT ke roop me CHOSENS me grahan ki thi...

un saari shaktiyon aur shiskha ne humare marte hi ek urja ka roop ke liya tha aur woh urja waqt ke saath aur shaktishaali hoti chali gayi..

aapke fifth AMPLIFICATION mode HEART me hi sirf itni urja hai jo us urja ko khudme samet sake...

aur aisa hone se aapke emotions power ke stability ki speed bhi kaafi badh jaayegi...

us AURA me BOOKS bhi hain,aur unme likhe SPELLS ko jab aap attach mode ke through man hi man chant karenge toh aapke SOUL ke saath baaki ke teeno AMPLIFICATION ki shaktiyan bhi bohot tezi se grow karenge aur woh bhi bina power measure SPELL ke radar me aaye hue..

kehne ka matlab hai ki koi bhi aapki asli taakat ko measure tab tak nahi kar paayega jab tak aap nahi chahenge..

par haan,ye saari shaktiyan kitni asardaar hongi,te aapke determination par depend karega...

ek baat aur,aapke FIFTH AMPLIFICATION MODE HEART ki ek khaasiyat ye bhi hai ki woh dono hi WHITE aur BLACK energy ki useful power ko extract kar negetive chizon ko automatically dissolve kar sakta hai..

iska matlab hai ki apne emotions powers ke through aap apne andar ikattha hue WHITE ke saath BLACK ENERGY ke spells aur taakat ko bhi extract kar sakte hain..

it will only benifit you...and lastly,kyunki is waqt aapke heart ke saath aapke chaaron saathiyon ke heart bhi jude hue hain, isiliye milne waali urja ke aapke sharir me samate hi un chaaron ke hidden GOD GIFTS bhi automatically activate ho jaayenge jisse practice ke saath woh sab nurture kar paayenge...

us SOUL ki baat khtam hote hi mere saamne khade saare souls ke beech se ek ek urja nikal upar hawa me ikattha hone lagi aur jab woh proccess pura hua toh woh saari urja ek hokar mere body ki taraf chal di aur agle hi pal woh urja mere body se hote hue mere heart me sama chuki thi...

jaise hi woh urja heart me samayi toh mere is SOUL form ko ek jhatka laga aur mai tezi se apne body me samata chala gaya...

body me mere soul ke samate hi meri body ko bhi do teen tez jhatke lage par teesre jhatke ke saath meri aankhen bhi khul gayi...

wahin teesre jhatke aur meri aankhen khulne ke beech ek aur chiz bhi hui..

aur woh ye ki mere heart se woh chaaron ray jo ki asal me HIDA, ACCHUTA, SLUNDER aur BRAWNY ke dil ki dhadkan thi, woh wapas un chaaron ki body me chali gayi aur aisa hote hi un chaaron ko bhi meri hi tarah kuch jhatke lage aur aakhri jhatke me un sabki aankhen bhi khul gayi...

hum sab apni apni jagah khade ho chuke the aur is waqt hum sabhi me ek chiz common thi..

hum sabhi ko apne andar heart ki taraf behad bhaari bhaari lag raha tha aur isiliye...


ACCHUTA-bhai behosh toh pehle bhi hue hain par aaj ki behoshi kuch alag hi thi..

mai kisi anthin neele aasman ke beech doud raha tha,woh bhi bina kuch soche samjhe...

aur ab jab hosh aaya hai toh apne andar ek bhaaripan sa mehsoos ho raha hai...


jo ACCHUTA ne kaha wahi baaki teeno ne bhi repeat kiya..

mai unke sawal par kuch kehta ki tabhi mere andar moujud us urja ne khudko unwind karna shuru kiya aur aisa kar kuch hi seconds me apne andar nihit SPELL ke books se ek choti si SPELL mere brain me transfer kar di jisse samajh


MAI-GUPYATI

HIDE....


apne aap mere mooh se ye SPELL nikla jiske baad ek adrishya ray mujhse nikal un chaaron ke andar sama gayi aur aisa hote hi un chaaron ko lagne waala bhaaripan jaata raha..

unke saath saath mere andar ka bhaaripan bhi khatm ho gaya tha...

apne SPELL ka prabhav mujhe khud hi feel ho gaya tha aur kamal ki baat ye thi ki us SPELL ko use ne laane ke liye mujhe apne REFINERS ka smaran bhi nahi karna pada tha.

khair,jahan body wapas halki lagne par woh chaaron khush ho rahe the wahin jab maine SPELL bola aur us SPELL ne apna asar dikhaya toh..


DHANUR-ye sirf ek demo tha tumhari shakti ka... tumhare chaaron sathiyon ko jo bhaaripan mehsoos ho raha tha,woh koi maamuli bhaaripan nahi tha balki unki GOD GIFT shaktiyon ke ujagar hone se unke chaaron AMPLIFICATION par padne waala extreme pressure tha jo har beetathe pal ke saath badhta jaata aur kuch hi der me us bojh ko naa jhel paane ki wajah se woh sab phir se behosh ho jaate....

par tumhare bole SPELL ki wajah se utni strong shaktiyan bhi chhup gayi..

tumhare andar jo bhaaripan tha,woh bhi tumhe mile urja ki wajah se tha jo ab tumhare emotions ke saath merge ho gayi hai par woh bhi un emotions ki hi tarah unstable hai jo tumhe stable karni hai...

jitni stable woh urja aur tumhari emotions hongi,utne shaktishali tum banoge...

tumhare sabhi REFINERS bhi automatically tumhare emotions ke control me hain isiliye unki shakti ka daayra bhi unlimited hai...

jitna khodoge,taakat ki utni mitti bahar aayegi tumhare andar se...

anceint BLACK aur WHITE magic ka har taakatwar spell
tumhare andar moujud hai jisse behad asaan shabdon me pirokar sajaya gaya hai thik waise hi jaise tumhe abhi spell bola tha GUPYATI.

kis SPELL ka prabhav kitna hoga,ye tay karne ke liye bhi tumhe koi extra mehnet karne ki zaroorat nahi hai..

tumhari soch ke anusar har SPELL kaam karega bas sharth wahi hai..

tumhe apne emotions aur usme nihit urja ko merge karte hue stable karna hai....

aur tumhare doston ko kya karna hai,ye bhi tumhe tumhari shaktiyan hi batayengi...

tumhe bas har kriya ke baare me sochte hue apne emotions me jhaankna hai, tarika pata chal jaayega....

ye jagah PROHIBITED SPACE abse puri tarah tumhara hua,jab tak tum nahi chaahoge,koi isse naa dekh paayega aur naahi sense kar paayega..

kal se har din tumhe iske andar hi khudko aur apne saathiyon ko tarashna hai..


yahan DHANUR mujhse baat kar rahe the aur mujhe yun chup reh sunya ko ghurte dekh..


SLUNDER-RAAZ...tu thik hai...

MAI-haan,mai thik hun...

ACCHUTA-toh batayega ki humare behosh hone ya fir ye kahun ki marne ke baad kya hua tha..

hahahaha....


apni hi baat bol hasne laga ACCHUTA jispar baaki ke teeno ne usse ghur kar dekha jisse woh bilkul chup hokar mujhe dekhne laga..


MAI-woh sab important nahi hai..good news ye hai ki jo bhaaripan tum sab mehsoos kar rahe the,woh sab tumhare GOD GIFT shaktiyan hi hain jo ab completely azaad ho chuki hai aur ab tum chaaron unhe sahi se nurture kar paaoge..

meri baat sun behadh khush ho gaye woh chaaron... ACCHUTA, SLUNDER aur HIDA toh mujhe lagatar thanks kehne lage aur SLUNDER ne bhi halke sankoch ke saath hi par ek baar thanks kaha..

wahin mai ye jaanta ki filhal meri shaktiyan unstable hai par phir bhi mai ek baar apni shaktiyon ke base ko check karna chahta tha..

reason....

kyunki mujhe bataya gaya tha meri ye normal shaktiyan bhi mere aloukik shaktiyon ke barabar hain toh aise me mujhe check karna tha ki ye sach hai yaa nahi...

is thought ke mere dimag me aate hi mujhe DHANUR ki kahi woh baat bhi yaad aayi jisme usne kaha tha ki apne emotions se connect kar kisi bhi kriya ko mere dwara bas sochne se task mujhe pata chal jaayega aur isiliye...


UTPLAVATE

APPEAR

SPELL bol apne andar jhaanka maine jiske baad meri heart phir se bhaari hone lagi aur tab jaise hi maine apni khawish jatayi toh mujhe kya karna hai,ye pata chal gaya tha mujhe..

apne shaktiyon ko HIDE kar maine un chaaron ki taraf dekha aur....


MAI-ek khel khelen...!!!!


mere aise sawal par woh chaaron harian toh hue hi par woh itna toh ab jaan hi gaye the ki mai kuch bhi yunhi nahi kehta aur isiliye...


ACCHUTA-kya karwana chahta hai bhai...???

MAI-jaisa ki maine bataya ki tum sabki shaktiyan filhal unstable hai..thik waise hi meri bhi kuch shaktiyan hai jo unstable hai...

mujhe apni shaktiyon ke base ko check karna hai aur aisa mai sirf tum chaaron ki shaktiyon ke aage hi kar sakta hun...


SLUNDER-cool..par ye hoga kaise...???hume toh ye bhi nahi pata ki hum apni shaktiyon ko use me kaise laayen...???

MAI-use me laana bhi nahi hai..bas apni apni shaktiyon ke AURA ko ek second ke liye release karna hai aur ye karna mushkil nahi hai...

bas jaise hi mai tumhari shaktiyon ko azaad karun,toh tumhe apne andar jhaankte hue MUKTAM jiska matlab release hota hai,bolna hai....

tum chaaron ka kaam khatm....

ACCHUTA-kitni pratishat AURA release karni hai...???

MAI-puri...

meri baat sun woh chaaron chownke aur..


HIDA-RAAZ...i know ki tum bohot strong ho par tumhe bhi pata hai ki humare GOD GIFT waali shaktiyon ne aur uske AURA me devastating powers hain..

toh aise me unhe pura unleash karna,galat ho jaayega....


ACCHUTA-haan bhai,tune hi kaha tha ki agar hum puri tarah apni shaktiyon ko use me laana sikh jaayen,toh jinhone hume aur humare parents ko behosh kiya tha,unke jaise bohoton par bhaari padenge hum..

phir aise me hamari unstable shakti hi sahi,par uske AURA se bhidna bohot kharab ho sakta hai..

MAI-kya isme se aisi koi baat hai jo mujhe pehle se nahi pata...


meri baat sun un sabke sir neeche ho gaye jispar..


MAI-isiliye raay dena chhodo and just do as i said...

ek baar ek dusre ko dekh man hi man ready kar liya un chaaron ne khudko aur tabhi..


UPLAVATE

APPEAR....


un chaaron ki shaktiyon ko ek baar phir se bahar nikala maine jiske baad un sabko firse apne andar bhaar sa lagne laga par us vazan ko darkinar kar un chaaron ne apne andar jhaanka aur...


MUKTAM.....

apni apni shaktiyon ne jhaank uske AURA ko dekh is spell ko uccharit kar diya un chaaron ne jiske baad un chaaron ke hi sharir ko ek jhatka laga aur unke AURAS unke body se nikal aage ki taraf badhe aur jiske prabhav se woh piche ki taraf udte hue gire...

wahin jaise hi un chaaron ne apne SPELL bole toh maine unki shaktiyon ko ek baar phirse HIDE spell se chhupa diya..

aisa kar maine apni aankhen band ki aur...


PUNDATI....

RUB....

khudme jaise hi jhaanka maine toh apne aap mere brain me is SPELL ka uccharan hua jiske agle hi pal mere sir ne pair tak ek electrical ray tezi se ghumi aur gayab ho gayi..

itne der me un chaaron ka mishrit AURA bhi pure veg se mere paas pahunch chuka tha aur phir..


BOOMMMM......

RAAZZZZZZ......


mujhse us AURA ke takrate hi ek tez dhamaka hua jisse dekh ACCHUTA, SLUNDER aur HIDA ke mooh se cheekh nikal gayi aur woh khade ho turant meri taraf badhe..

par dhamake se nikle dhuen me bhi itni energy thi ki woh aage nahi badh paa rahe the..

wahin jab kuch der baad woh dhuan chhata toh mujhe araam se apni jagah par khada dekh woh sab khush bhi hue aur hairan bhi...

waise khush toh mai bhi tha..sirf ek defence SHIELD ke activate hone se maine itna strong AURA'S ke prabhav ko rok liya tha jiska matlab tha ki ye normal shaktiyan bhi wakayi aloukik shaktiyon ke takkar ki thi...

dhuan chhat chuka tha aur ACCHUTA, SLUNDER mere paas aa mere body ko check kar dekh rahe the ki kahin mujhe chot toh nahi lagi aur mujhe 100 percent sahi dekh..


ACCHUTA-bhai,tune toh kaha tha ki teri original shaktiyan tere paas nahi hai,phir ye sab...!!!!


jahan ACCHUTA ki baat sun BRAWNY ko kuch samajh me nahi aaya wahin mai halka muskura diya aur..


MAI-ye woh shaktiyan nahi hai..ye normal SAVENT shaktiyan hi hain par inka asar bhi un shaktiyon jaisa hi hai...

bas tum sabki tarah mujhe bhi isse use me laana sikhna hai...

SLUNDER-bhai,bina use me laaye tu itna strong hai toh jab shaktiyan control me hongi toh kya haal hoga...

HIDA-mai toh ye soch rahi hun ki MABBA ki kya haalat hone waali hai EXERTION me..

MAI-dushman ko kamzor mat samjho... bas apni taiyari par dhyan do...

ACCHUTA-yes sir...


chillate hue kahi ye baat ACCHUTA ne jisse sun sabhi ke chehre par smile aa gayi..

jahan iske baad woh chaaron aaj jo bhi hua,uske aur apni shaktiyon ke baare me baat karne me mashgul ho gaye wahin mai bhi chehre par smile aur VIDEOUS ko yaad karte hue...


MAI-sirf shaktiyon me tu 21 tha mujhse,par us 21 par mere 22 hone ka waqt aa chuka hai...woh din bhi aane waala hai jab....




jahan kuch nazar naa aayega,wahan par bhi hum DIKHENGE....

kisse pata tha ki har paitre ko hum bhi uske neev se SEEKHENGE......

beshak ye khel tera hai,aur iske niyam bhi...

baazi bhale tu jeet le,par puri JUNG sirf hum JEETENGE.........












AAJ KE LIYE ITNA HI.....




 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF RAAZ EX SAVENTS KE SOULS KO FREE KAR DETA HAI WAHIN DUSRI TARAF ACCHUTA, SLUNDER,HIDA AUR BRAWNY KE HIDDEN GOD GIFT POWERS UNLOCK HO JAATE HAIN.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



UPDATE-97



PLANET-ELYSIAN


PLACE-CHOSENS



STELLARS CLASS:-









SO SAVENTS,JAISA KI KAL ANOUNCEMENT ME BATAYA GAYA KI EXERTION COMPETITION SIRF EK MAHINE ME HI HONE WAALA HAI, JISKA MATLAB HAI KI AAP SABKE PAAS ZYADA WAQT NAHI HAI TAIYARI KE LIYE, ISILIYE HUMNE SOCHA HAI KI AAP SABKE TRAINING PROCCESS KO ZYADA TOUGH AUR SPEED KIYA JAAYE..

AAJ SE COMPETITION TAK AAP SAB SIRF 30 MINUTES HI APNE REFINERS KO ACTIVATE KARNE KI KOSHISH KARENGE,BAAKI KA PURA WAQT AB AAP SABKI METAPHYSICAL CAPABILITIES KI NURTURING HOGI JO KI KAAM AANE WAALI HAI US COMPETITION ME....


class me ghuste hi SAPIUS ne ye baat kahi thi...aaj yahan bas woh aur REGIS hi moujud the, MABBA gayab thi...

khair, SAPIUS ki baat ko aage badhate hue...


REGIS-waise humne aap sabke metaphysical capabilities ko nikharne ke liye ek bohot hi interesting aur competitive tarika dhunda hai jisse ki aap sab lagatar motivate hote hue pure focus ke saath training lenge..

par usse pehle,jaisa ki SAPIUS ne bola,pehla aadha ghanta aap sabhi apne apne REFINER activation me lagayenge isiliye without wasting time,shuru ho jaaiye...


REGIS ki baat khatm hote hi hum sabhi apni apni jagah par baith apne CEREBRATION process ko pause kar lag gaye REFINER activate karne me...

par jahan baaki sabhi ka tarika wahi purana tha,wahin main kuch aur hi kar raha tha..

darasal kal PROHIBITED SPACE se loutne ke baad bhi mai rest karne ke bajaye jab apne ABODE me bane training room me us nayi urja ko jo mujhe aaj mili thi,apne emotions power ke saath merge karne me laga hua tha tab mere andar moujud DHANUR jinhe institution ki padhayi aur us padhayi ka tarika maulum tha,unhone mujhe apne REFINERS ke baare me joki mere emotions ke through hi activate hote hain,unhe use me laane ka aur saath hi aur sashakt banane ka ek naya tarika bataya tha aur filhal mai wahi try kar raha tha...

aankhen band karne ke baad apne CEREBRATION process ko pause kar maine apne apne stable ho chuke emotions ki power me jhaankte hue third REFINER ANGRY ko activate karne ke liye spell nahi bola balki jo do REFINERS mere already activate ho chuke the, HAPPY aur SAD,unke SPELLS ko ek ke baad ek uccharit kiya...

aisa karte hi mere andar mere activated REFINERS chamakne lage...

aur jab aisa hua toh....


DHAMANE...

CAUSE CHANGE.....


apne stabled EMOTIONS power ko dekh is SPELL ko uccharit kiya maine aur mere aisa karte hi mere dono activated REFINERS mere stabled EMOTIONS power ke andar samate chale gaye..

us stabled power me us urja ke bhi kuch ansh the jo kal mujhe mile the par ab woh urja bhi mere us power ka hi hissa the.

khair,jaise hi REFINERS emotions ke andar gaye toh uske kuch pal baad mere andar halki vibrations hone lagi aur jab aisa hua toh...


SAMPURN KRODHAM


mere man me ye SPELL uccharit hua aur aisa hote hi ek nayi kiran ne mere andar janm liya joki mere is naye ANGRY REFINER ki shakti thi aur jaise hi woh jagmagahat hui toh emotions ke andar ho rahi vibrations se ek AURA nikal us roshni ki kiran par pada aur....

mera THIRD REFINER "ANGRY" bhi activate ho chuka tha aur woh bhi complete power tak jisse mai ab mujhe aur shaktishaali banana tha...

khair,ye tha mere EMOTIONS ki shakti ka ek chota sa example jisme kuch hi palon me mera third REFINER complete power tak ACTIVATE ho gaya tha par jaisa ki us SAVENT ke SOUL ne kaha tha ki meri power utni hi pata chalegi jitna mai chahunga, isiliye mere is naye achievement ke baare me maine kisiko bhi bhanak tak nahi lagi..

khair,mai chahta toh abhi ke abhi apne bache baaki ke dono REFINERS ko bhi activate kar sakta tha par naa toh ye koi time taking cheez hai aur naahi filhal zyada important isiliye kuch pal ke liye aankhen khol taaki sabko lage ki REFINER ACTIVATION ka mera prayas asafal raha,maine dobara apni aankhen band ki aur....

woh ishwariya jyoti,jiske through mujhe mere emotions mile the,unki urja ko jo kahin naa kahin ab bhi mere andar moujud thi,usse dhundne laga..

yahi tarika bataya tha mujhe DHANUR ne mere EMOTIONS ko stable karne ke liye..

DHANUR ne bataya tha ki woh jyoti bohot chanchal hai jo mere saath hide and seek khelegi..

mujhme hone ke baad bhi woh asaani se mujhe dikhegi nahi par jab bhi us jyoti ki ek jhalak bhi mujhe naseeb hogi toh mere emotions ek percent tak stable ho jaayenge....

aur unstable emotions aur unke saath mile hue urja ki shakti ka jo bhaar mujhe mere andar mehsoos hota hai,25 percent stability aate aate woh bhi kaafi kam ho jayega aur 50 percent stability par woh bhaar khatm ho jaayega aur saath hi itne me mujhe mili urja bhi mere emotions ke saath merge hokar ek ho jaayegi...

yahi kaaran tha ki kal PROHIBITED SPACE se aane ke baad bhi maine kareeb 5 ghante us ishwariya jyoti ko dhundne me lagaye the jisme mai sirf 1 baar safal bhi raha tha aur isiliye filhal mere emotions ka stability level 16 percent par tha...

khair,abhi bhi aankhen band kar mai ussi koshish me laga hua tha par yahan problem ye thi ki har 1 minute ke baad mujhe aankhen kholni padti thi taaki kisiko koi shak naa ho.

par aise me toh mai thoda sa bhi kaamiyab hone se raha aur hua bhi nahi..

kab aadha ghanta khatm hua, pata hi nahi chala aur jaise hi waqt beeta toh...


SAPIUS-ok guyzz,REFINERS ACTIVATION ka time up....aur ab waqt hai aap sabke metaphisycal capabilities ko sikhne aur nourish karne ka aur jaisa ki REGIS ne class ki shuruat me bataya tha ki humne ek interesting aur competitive tarika dhunda hai taaki sikhne ka aapka focus aur excitement level bana rahe...

toh woh interesting, competitive aur motivation se bhara tarika ye hai ki aap sabhi ke beach 1 on 1 friendly combat hoga jisme aap sabhi aamne saamne aayenge aur ek dusre par apne metaphisycal capabilities ke daav azmaayenge..

shuruat hum maamuli offensive aur defensive SPELLS se karenge jisse aap sabko naa toh chot lagegi naa koi sharirik nuksaan hoga par haan, confidence up yaa fir low zaroor hoga according to your performances...

so ready...!!!

SAVENTS-yes WHIZZDER...


behadh excitement se bhar kahi ye baat SAVENTS ne jiske baad...


REGIS-fine...ek demo dekh lijiye.... MAHI, RAAZ, VIDEOUS...

aap teeno me se koi bhi 2 saamne aayiye....aap teeno ka apne REFINER power me control baakiyon se zyada hai isiliye shuruat aap se hi karte hain...

MAHI,in dono ke beech aap akeli ladki hain isiliye aap bataiye ki kiske saath demo dena chahengi aap....???


REGIS ki baat par ek baar MAHI ne VIDEOUS ko aur ek baar mujhe dekha aur..


MAHI-VIDEOUS....


MAHI ki choice par REGIS ya SAPIUS un dono ko aage aane ko kehte ki tabhi...


ACCHUTA-with all due respect WHIZZDERS.....VIDEOUS se zyada hum RAAZ ke DEMONSTRATION se sikh sakte hain...

abhi tak bina protection ya precaution ke bhi isne har demo me aisa presentation diya hai ki har baar humara confidence badha hi hai...

no doubt VIDEOUS is a good choice aur AMPLIFICATION aur REFINER activated power ke maamle me woh aur RAAZ filhal equal hain par having said that,ye sab ek theory based comparison hai...

par EXERTION me hume practically apne metaphisycal capabilities ko use me laana hai..

waqt zyada bacha nahi hai toh aise me jitna improve hume karna chahiye,woh hum kar paayenge nahi...

aur limited shaktiyon se bhi impossible lagne waale task ko kaise successfully handle karna chahiye,ye RAAZ ne baar baar hume karke dikhaya hai....


ACCHUTA ki statement se bohot se SAVENTS ittefaq rakhte the isiliye un sabhi SAVENTS ne uski baat ka support kiya jisse sun ek pal ke liye REGIS aur SAPIUS bhi sochne lag gaye aur is beech...


ACCHUTA-le bhai...kar diya tera kaam....par ho sake toh bata diyo iska reason..

MAI-dekhte hain...


ye bol muskurane laga tha mai...

jee haan doston, ACCHUTA ne jo kaha,waisa hi kuch kehne aur is demo ko meri taraf modne ke liye maine hi kaha tha...

reason....

kuch der pehle paused CEREBRATION ke waqt jab maine apne third REFINER ko ACTIVATE kiya tha tab mere emotions me chuppi WHITE ENERGY ne apni si hi ENERGY ko mehsoos kiya tha par woh energy ek kaali urja ke cage me chhatpatathi dikhi unhe aur jab aisa hua toh DHANUR ko bhi iska pata chal gaya aur tab apne invisible WHITE ENERGY se bani detect force ray ko bahar nikala unhone aur VIDEOUS ko chhod baaki sabhi SAVENTS ko check kiya us ray ne aur aisa karte waqt sirf MAHI hi aisi thi jiske andar kuch alag forced unwanted energy feel ki us ray ne par exactly woh energy hai kya aur aayi kahan se hai,ye pata nahi chala DHANUR ko isiliye DHANUR ne mujhe kaha ki kisi tarah khudpar MAHI se koi metaphysical activity ka prayog karwane..

aisa karne se jo energy usse release hogi,usse shayad kuch extra pata chal sakta tha..

aur jab REGIS aur SAPIUS ne demo ki baat ki mera kaam asaan ho gaya par kyunki MAHI ne VIDEOUS ko chuna tha isiliye ye tikdam bhidani padi mujhe..

khair,kuch seconds ek dusre se baat kar..


SAPIUS-sujhaav acha hai ACCHUTA... MAHI,tum RAAZ ke saath hi demo dogi...

baaki sab,left right khade ho jaaiye aur beech me kamsekam 20 feet ki jagah chhod dijiye....

MAHI, RAAZ 20 feet hi doori rakh aap dono aamne saamne khade ho jaaiye....


SAPIUS ne jo kaha tha,agle ek minute ke andar waisa ho gaya tha...

jahan mai aur MAHI ek dusre se 20 feet door aamne saamne the wahin baaki STELLARS hamare left aur right me apne apne group banakar khade the...


SAPIUS-jaisa ki maine bataya tha ki ye on two one combat low level par hoga..

ye combat do charan me pura hoga....

pehle charan ke demo combat me aap dono baari baari sirf do spells kaa use karenge..

ek SPELL attack ka hoga aur dusra defense ka...

attack SPELL hai ATUDATI,jiska arth gai PUSH....

aap dono me se koi ek is SPELL ko uccharit karega...

pehle aapko ye SPELL sirf apne AMPLIFICATION power ke tahat command mode se use me laana hai...

uske baad dheere dheere aap apne SPELL ki taakat ko spne REFINER power ke saath merge karkar badhayenge...

ye koi ghaatak SPELL nahi hai..iske istemaal se aap bas ek dusre ko piche ki taraf dhakka denge...

defense SPELL hai KHANDAM,jiska arth hai block...

is spell ko hamesha yaad rakhiyega kyunki har attacking SPELL ko issi spell ke through hi block kiya jaata hai...

iska istamaal bhi aap dono pehle apne AMPLIFICATION power se,aur uske baad apne REFINER power ke through karenge...

demo ka dusra charan is bataye pehle charan ke successfully operate karne me baad aap dono ko bataya jaayega...

toh ready...????

HUM DONO-READY...

SAPIUS-great... MAHI,tum attack SPELL se shuruat karo,aur RAAZ tum defense karo...

apni ekaagrata barkarar rakha..jitna zyada focused rahoge, SPELL ki taakat bhi utni hi zyada impactful hogi...

shuru karo....

MAHI-ATUDATI.....


MAHI ne turant hi is SPELL ko uccharit kiya tha jisse ki mai taiyar naa ho paaun..


uske SPELL uccharit karte hi hawa ka ek tez presure bijli si tez gati liye meri taraf badha aur tabhi..


MAI-KHANDAM....


maine bohot dheere se is SPELL ko uccharit kiya...

par maze ki baat ye thi ki jaisa SAPIUS ne kaha tha,pehle apne AMPLIFICATION power ko use me laa is SPELL ko bolne ke liye,aisa maine nahi kiya tha..

maine aise without any backup power,is SPELL ko bola...

reason....

jaise jaise mere emotions power stable aur strong ho rahe the,mere normal SAVENT status me bhi AMPLIFICATION power jitni shakti aane lagi thi aur isiliye hi maine bina kisi backup power ke SPELL uccharit kiya aur mere aisa karte hi mujhse thik 1 metre aage ek invisible BLOCK ban gaya jisse takrakar MAHI ka attack SPELL beasar ho gaya aur ye dekh...


SAPIUS-bohot acche RAAZ,and well done MAHI...maine tum dono ke hi SPELLS ki urja mehsoos ki thi joki kaafi achi thi....

RAAZ,attack SPELL ki ab tumhari baari....


SAPIUS ki baat khatm hone se pehle hi maine ATUDATI SPELL uccharit kar diya tha jiske ek pal ke andar hi MAHI ne bhi KHANDAM SPELL bola par tab tak mere SPELL se nikli energy MAHI tak pahunch chuki thi..

MAHI ke SPELL se nikli block toh waise lag chuki thi par uske sharir se nikal woh block aage badhe,usse pehle hi mere SPELL ne apna kaam kar diya jispar block ke lagne ke baawjud MAHI mere bole SPELL ke force se piche ki taraf ladhkhada gayi aur jab aisa hua toh...


MAHI-WHIZZDER,isne cheating ki hai...time se pehle hi isne apne SPELL ko uccharit kar kiya tha..

MAI-time wahi sahi hota hai jab aapka opponent taiyar nahi rehta.. isiliye chote bache ki tarah rona chhodo aur focus strong rakho..

ladhayi me tumhe koi ye bolkar ki MAHIJI agar aap ready ho gayi toh kya mai attack kar lun,humla nahi karne waala...


jahan meri baat sun kaafi SAVENTS has diye, wahin MAHI ko ghussa aa gaya tha...

khair,meri baat sun...


SAPIUS-RAAZ is right MAHI...focus humesha strong hona chahiye...abse dhyan rakhna...

aur ab MAHI tumhe apne first REFINER ke average power se attack karna hai aur RAAZ,ussi power se defense karo tum...


SAPIUS ki baat sun ek pal mujhe ghoor MAHI ne ek baar phirse ATUDATI SPELL uccharit kiya par jahan SAPIUS ne usse aisa apne REFINER ke average power ke saath karne ke liye kaha tha,wahin usne ye full power ke saath kiya taaki jab mai isse naa sambhal paaun toh mera diya gyan mujhe wapas de sake...

par jab usne is SPELL ko bola toh maine bas apne AMPLIFICATION power ke aadhe bhaag ko hi use me laa KHANDAM SPELL ko uccharit kiya aur mere aisa karte hi MAHI ka SPELL beasar ho gaya jisse dekh woh halki si chidh gayi thi...

par tabhi....

DHAKKKK.....

MAHI ek baar phirse piche ki taraf ladkhada gayi...

reason...

MAHI ke attack SPELL ke nishkriya hone waale pal me hi us SPELL ki khatm hoti urja ki beech maine apne attack SPELL ko uccharit kar diya tha aur ek baar phirse MAHI ka BLOCK uske sharir se aage nahi nikal paaya tha..

wahin mere attack and most importantly,us attack ki timing dekh halke hairan ho gaye SAPIUS aur REGIS isiliye..


REGIS-brilliant RAAZ..defense karte hue hi ussi pal me tumne attack kar diya...well done my boy...


jahan REGIS ki baat sun mai muskura bhar diya wahin MAHI ka dimag garam hone laga tha jisse mai bhi dekh raha tha aur mere andar moujud DHANUR bhi aur yahi toh hamara plan tha..

jo bhi forced shakti MAHI ke andar thi,wo mere attacks se MAHI ke andar unstable hoti jaa rahi thi aur ab bas deri ki uske power ko mehsoos karne ki..

kyunki frustrate hokar jab uske andar se woh forced energy apni power se mujhpar waar karti,toh DHANUR ko us ENERGY ka sach pata chal jaata...

mai haste hue ye sab soch hi raha tha ki tabhi REGIS ne jo kaha, usse mai aur DHANUR jo chahte the,wo ho jaane waala tha...


REGIS-ab shuru karte hain is combat training ka dusra charan...


HOAX HIT toh yaad hi hoga aapko..ek saath ek hi baar me 2 yaa do se zyada SPELLS uccharit karna..

toh karna aap dono ko ye hai ki pehle attack SPELL ko bolne ke agle hi pal ATTACH MODE ke tahat man hi man aapko apne AMPLIFICATION power aur REFINER power,dono ko merge karte hue dusra SPELL AAHATAM matlab HIT bolna hai....

aur defensive bande ko KHANDAM bolne ke agle hi pal dusre attack se pehle apne ATTACH MODE ke tahat ek baar phirse KHANDAM bolna hai taaki second attack se bacha jaa sake...

is demo me koi halt nahi hoga.. attack karne waale ki baari ke baad defense waala attack karega aur ye process tab tak continoue hoga jab
tak aapme se koi saamne waale ko
AAHATAM SPELL ke through gira naa de....

jisne gira diya,woh winner....so ready...!!!


REGIS ki baat khatm hote hi bina kuch kahe MAHI ne pehle ATUDATI SPELL uccharit kiya aur phir agle hi pal apne ATTACH MODE ke tahat second SPELL AAHATAM uccharit kar diya..

wahin in sabke dauran maine apne stabled power ki shakti ko apne BODY se jod diya tha jiska matlab tha ki ab mujhe khudko safe rakhne ke liye koi SPELL bolne ki zaroorat nahi thi....

par dikhane ke liye maine apne honth budbuda bhar diye aur tabhi.

back to back do hits lagi mere sharir ke aage jo mere sharir ke lage BLOCKS se takrakar khatm ho gayi....

aisa hote dekh MAHI maayus ho gayi aur mai muskurane laga..

par jab kuch der baad bhi maine koi attack nahi kiya toh uski maayusi hairani me badal gayi aur saath hi WHIZZDERS ki bhi aur isiliye...


SAPIUS-kya baat hai RAAZ..tumhari baari hai attack karne ki...

MAI-usse lagta hai ki mai unfair game khelta hun isiliye mai isse 3 mouke aur deta hun...mai sirf defense karunga aur ye attack..shayad aage nikal jaaye ye mujhse...

SAPIUS-RAAZ..defense me attack se zyada energy waste hoti hai..

jis spells ko body jhelti hai,usse rokne ke baad uske power ke according defensively body par asar bhi hota hai..

aur filhal MAHI HOAX HIT try kar rahi hai jisme woh ek nahi balki do SPELLS tumpar ek hi time me use karegi...

aise me tumhae body ki urja shakti kaafi kam ho jaayegi....


SPELLS ko use me laane ke kriya me tum abhi naye ho...zyada pressure shayad jhel naa sako...

MAI-theory padhi hai maine iski...par phir bhi,ek try toh banta hai...

VALDIS-oh bhai, overconfidence kahin duba naa de tujhe...


VALDIS ki baat sun jahan uske baaju me khadi MABEL ne usse aankh dikhaya wahin ACCHUTA ka dimag phirse satak gaya aur...


ACCHUTA-tu khada hoja uske saamne....over aur confidence ke beech ka fark pata chal jaayega tujhe....

apni vishesh tippani unke aage de jo tere barabar hon yaa tujhse neeche...

jiske aage pitaji bhi namam karen,unhe dadaji kehte hain aur dadaji ko jeeven ke falsafe sikhaye nahi jaate...


ACCHUTA ki baat sun lagbhag sabhi has diye the aur VALDIS usse ghoor kar dekhne laga jispar ACCHUTA phir kuch kehne waala tha par SLUNDER ne uske kandhe par haath rakh usse chup rehne ko kaha...


VALDIS man me-kaun baap hai aur kaun beta,te toh tujhe EXERTION me dikhata hun beta..

GROOMERS ki taraf se participate kar tune khudhi apni kabar khod li hai jisme aakhri mitti mai hi daalunga...


wahan VALDIS khayali pakwan paka raha tha aur yahan meri baat sun ghusse me mujhe ghurti MAHI ne apna haath aage kiya aur....


ATUDATI....

AAHATAM....

ek ke baad ek do SPELLS uccharit koye usne...

par dusra SPELL joki ATTACH MODE ke antargat bola gaya,usse jab MAHI ne uccharit kiya toh spell ko extra power dete hue MAHI ke brain me vaas karte teeno DEVOTEES ki BLACK ENERGY ke kuch kan bhi release hue taaki mujhe acha khaas damage ho jaaye..

aur jaise hi woh kan release hue, DHANUR ne unhe sense kar liya aur..


DHANUR-take the second hit...


DHANUR ki baat maan pehle SPELL ko beasar kar second SPELL ko apne body me le liya maine jisse piche ki taraf dhakka laga mujhe..

waise toh mujhe us energy ki taakat se gir jaana chahiye tha par jaisa ki kal mujhe bhi pata chala tha ki mere emotions power ki ek khaas baat ye bhi hai ki woh har energy ko khudme merge kar leti hai aur jo hissa use ka nahi hota,usse dissolve kar deti hai,toh wahi cheez yahan bhi hui...

mere sharir par chadhe emotions power ki parat ne mere piche hote hi un energy kano ke shakti bhaag ko sokh liya aur baaki ke useless part ko hata diya tha aur isiliye kuch kadam piche haththe hue mai normal ho gaya...

is waqt sabhi ki nigah mujhpar hi thi aur isiliye kisine ye nahi dekha ki
second SPELL bolne ke baad MAHI ko halka chakkar aa gaya tha..

reason...

second SPELL hit ek average attacking SPELL tha par BLACK ENERGY ke kano ki wajah se woh devastating level tak pahunch gaya tha jo MAHI ka pure SOUL nahi chahta tha...

MAHI ke chaaron AMPLIFICATION modes is chiz ka virodh kar rahe the jisse push karte hue BLACK ENERGY ke kano ne mujhpar waar kiya tha aur isiliye us jhadap me MAHI ko chakkar bhi aa gaya aur woh pysically kamzor bhi ho gayi thi..

aur in sabke beech DHANUR ko saara ganit samajh me aa gaya tha... MAHI ke andar chuppe forced BLACK ENERGY ka bhi aur saath hi dusre muddon ka bhi isiliye...


DHANUR-jo janana tha jaan chuka hun mai..par filhal iski condition thik nahi hai.. pyscically aur mentally weak hai ye..

aise me ispar kisi chiz ka (BLACK ENERGY) haavi hona bohot asaan hoga..

isse turant behosh karo..aur haan, apne emotions ke AURA ka use karna...

MAI-kya hua MAHI..teen hits ka mouka diya tha maine..first HIT me hi haalat kharab ho gayi tumhari...

khair,ab jab jaan hi nahi bachi tumme toh time waste nahi karte.. let's end it..

AAHATAM......

DHAKKK.....


meri baat sun SAVENTS aur dono WHIZZDERS ki nazar gayi MAHI par...

MAHI ke face me dikh rahe weakness ko dekh unhe laga ki extra power use karne ki wajah se MAHI internally thak gayi hai...

ye soch woh mujhe attack SPELL bolne se rokne hi waale the par isse pehle ki woh aisa kar paate,apne emotions ke AURA ke saath merge kar HIT SPELL bol diya maine aur aisa hote hi ek behadh strong force lagi MAHI se aur woh udte hue piche ki taraf jaa giri aur ussi pal behosh ho gayi...

ek normal attack SPELL me itni power dekh shocked hue dono WHIZZDERS...unhe laga ki maine apne pehle REFINER ke saath second REFINER ke average power ko bhi use kiya hai aur isiliye...


SAPIUS-ye kya kiya RAAZ...???second REFINER ke saath HIT karne ki kya zaroorat thi...

ye MAHI ke liye dangerous ho sakta hai....uske internal parts bhi damage ho sakte hain..


jahan ghusse se ye baat bol wo aur REGIS MAHI ki taraf tezi se badhe wahin SAPIUS ki baat sun ALFREEN ko mujhpar ghussa aaya aur woh turant mere paas aayi..


ALFREEN-are you out of your mind RAAZ....tum pehle se hi strong ho... HOAX HIT ko use karne ka tarika ache se jaante ho..

hard se hard demonstration me bhi tumne excel kiya hai..

phir kya zaroorat thi,yahan showoff ki... kya jeetne je liye kisi ki life ko bhi khatre me daal doge tum...???

MAI-kabhi apne ego satisfaction ke liye mujhpar electric balls se humla kiya tha tumne aur MAHI ne...

waisa karte waqt kya jo sawal tumne abhi mujhse pucha hai,khudse pucha tha...???

waise badla lene ke liye ye nahi kiya maine... competition ke waqt mera focus opponent ki haalat par nahi hota...sirf competition par hota hai...

phir bhi normally hi bola tha SPELL par shayad woh weak ho chuki thi...jhel nahi paayi...

jaao,jab tak aankhen band hai uski,dosti nibhao..care karlo uski...dekh lo usse jee bhar ke,kyunki aankh khulne ke baad toh ek dusre se aankhen churani hi hain...


jahan ye bol mai rooka nahi aur class se nikal gaya wahin meri baat se dimag puri tarah shaant ho chuka tha ALFREEN ka aur phir jab mai wahan se nikla toh woh bhi turant mud MAHI ki taraf chal padi...


MAI-toh kya pata chala....???


class se bahar aate hi pucha maine ye DHANUR se jispar...


DHANUR-kitna jaante ho is ladki ke baare me...???

MAI-mind game nahi DHANUR...aur mujhse toh bilkul bhi nahi...mudde par aayiye,aur problem bataiye....


kuch pal shaanti se beete aur phir....


DHANUR-iske BRAIN ko BLACK ENERGY ke behad strong kano ne ghera hua hai aur woh bhi kaafi waqt se...

itne waqt me agar koi aur hota toh kabka KAALI shaktiyon ke upasak me badal jaata par is ladki ka heart pure hai...

complete positive energy se bhari hai ye ladki aur will power asadharan hai isiliye wo kan ispar puri tarah se kabza nahi kar paaye hai par phir bhi unki dakhal kaafi hai iske har kriya me...

isse pata bhi nahi ki iske andar ki positivity lagatar un BLACK ENERGY ke kano se ladh rahi hai par jab jab aisa hota hai toh isse sir me dard bhi hota hai aur iske chaaron AMPLIFICATION modes kamzor bhi ho jaate hain...

BLACK ENERGY ne bhale hi isse puri tarah se naa jeeta ho par usne iske positivity ko takkar dekar jhukaya zaroor hai...

agar isne apne chaaron REFINERS ko activate kar liya hota aur iske AMPLIFICATION 12 percent se upar hote toh iske emotions power un BLACK ENERGY ke kano ko hara kar khatm kar dete par unfortunately aisa hua nahi hai aur ab jab tak MAHI ke chaaron AMPLIFICATION modes BLACK ENERGY ko grahan nahi kar lete,woh aisa hone bhi nahi denge...

iski growth ruk jaayegi...

MAI-solution....

DHANUR-manzil par pahunchaun ya us manzil tak le jaane waale raaste par chhod dun....????


DHANUR ki baat sun smile aa gayi mere chehre par....unke is tark ko samajh gaya tha mai...

actually DHANUR mujhe indirectly challenge dena chaah rahe the taaki mai khud solution ka pata lagaun aur jo challenges se bhaage,wo RAAZ nahi isiliye...


MAI-raaste par chhod dijiye...manzil tak mai khud pahunch jaaunga...

DHANUR-dhyan se suno.....



nivaran aas paas hi hai,bas tumhe
dhund kar DIKHANA HAI....

jo dhund bhi liya,toh bin saamne aaye dawa ko rogi tak PAHUNCHANA HAI....

bas itna kar,baaki khudbakhud ho jaayega....

pata chalne se pehle hi taklif ko door HO JAANA HAI....












AAJ KE LIYE ITNA HI.......




 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI FRIENDLY COMBAT KE DAURAN DHANUR RAAZ KO BATATA HAI KI MAHI KE ANDAR BLACK ENERGY SAMAYI HUI HAI...


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



UPDATE-98



PLANET-ELYSIAN


PLACE-THE FORBIDDEN SPACE




20 DAYS LEFT FOR EXERTION...








AHHHH....AHHHHH.....AHHHHH.....AHHHH.......

ek ke baad ek chaar baar cheekh nikli ACCHUTA, SLUNDER, HIDA aur BRAWNY ki jiske baad woh sabhi apne apne paused CEREBRATION se bahar aa gaye...

dopahar ka waqt hai...pichle 10 dino se lagatar institution se aane ke baad ye chaaron mere saath yahan PROHIBITED SPACE me aakar apni shamata ko viksit karne ka prayas kar rahe hain aur har baar thodi thodi der me in sabke CEREBRATION process ke tootne se inhe yunhi dard hota aa raha hai...

khair,cheekh ke saath hi chaaron apni apni jagah se uth gaye aur..


HIDA-RAAZ,aur kab tak hume yahi process repeat karte rehna hai....???

pichle 10 dino se hum yahi kar rahe hain par dard ke siwa hume aur kuch bhi haasil nahi hua hai...

ACCHUTA-haan bhai..wahan class me toh sabhi alag alag metaphysical activities kar rahe hain..

HOAX hit ke naye naye techniques sikh rahe hain par tune wahan bhi hume bas sikhne ki acting karne ko kaha hai..

aise me toh competition me lag jaani hai humari....


chaaron ke chehre par nirasha saaf dikh rahi thi aur jitna unhe maaum hai yaa phir ye kahun ki maine bataya hai,uske hisaab se ye maayusi galat bhi nahi hai...

darasal 19 din pehle abhyas ke pehle din maine inhe ye kaha tha yaa phir ye kahun ki DHANUR ke according ye bataya tha ki inhe sirf ek hi chiz karni hai,aur woh ye ki CEREBRATION process ko paused kar apne chaaron AMPLIFICATION modes ki urja ko apne apne GOD GIFTS shaktiyon par joki unke heart ke ird gird jami hui thi, uspar modte hue focus banaye rakhna hai..

aisa karte waqt jab bhi unke heart me kampan ho, vibration ho toh unhe us kampan ko count karna tha...

bas itna hi kaam tha in chaaron ka par ye proccess AMPLIFICATION modes ke attach hone ki wajah se bohot zyada painful bhi tha aur lagatar ek hi chiz karne ki wajah se boring bhi...

in 10 dino me 20 se zyada baar ek hi proccess ko lagatar karte rehne ki shikayat kar chuke the ye chaaron mujhse par mai bas unhe proccess repeat karne ke liye kehta aaya tha...

par is baar jab HIDA aur ACCHUTA ne ek baar phirse same complaint ki toh....


MAI-vibration counting kaha tak pahunchi hai...???


har baar un chaaron ki shikayat par yahi sawal rehta tha mera aur ab bhi jab maine same baat kahi toh....


ACCHUTA-25 ho gaye hain bhai...

MAI-repeat....


meri baat sun halki udaasi dikhne lagi chaaron me kyunki har baar unke sawal ke baad mai unhe wapas proccess repeat karne ke liye bolta tha aur isiliye is baar bhi mere bolne ke baad ACCHUTA aur baaki teeno bhi proccess repeat karne ke liye baithne hi waale the ki tabhi...


MAI-25 vibrations aur haasil karne hai tum sabko..


ye pehli alag baat thi jo kahi thi maine un sabko jisse sun woh sabhi halke excited ho gaye aur...


ACCHUTA-25 aur matlab...!!!??uske baad kya hum bhi alag alag SPELLS practice karna sikhenge...

MAI-sirf practice karoge..sikhne ki zaroorat nahi padegi..

jo proccess tum chaaron kar rahe ho,aur isme jo vibrations feel ho rahi hai tum sabko,woh tumhare chaaron AMPLIFICATION modes ke tum sabke GOD GIFTS shaktiyon ke saath 1,1 percent merge hone par ho rahi hai...

aur jab ye pratishat 50 par pahunchega,toh jitne bhi SPELLS aur METAPHYSICAL activities ke books tum chaaron ne padhe hain yaa dekhe hain,woh sab automatically tumhare andar feed ho jaayege jisse practice ke saath tum chaaron nikharoge....


mere is khulase se behadh khush ho gaye the woh chaaron aur saath hi ek nahi urja bhar si gayi thi un sabke andar....


ACCHUTA-toh bhai,ye pehle nahi bata sakta tha tu...???abhi tak toh kisi bhi condition me 50 percent tak apne apne AMPLIFICATION modes ko apni shaktiyon ke saath merge kar chuke hote hum...

MAI-nahi kar sakte the...jitna waqt lag raha hai,is proccess me utna hi lagega...

HIDA-toh kya ye merger aadha hi hota hai,pura nahi..???

MAI-koi merger kabhi aadha nahi hota HIDA...par 50 percent merger ke baad tum sab har metaphysical activity jo is institution me sikhayi jaati hai,usse karne ke liye qualify ho jaaoge aur jab woh merger 100 percent par pahunchega,toh tum woh sab bhi kar paaoge joh ab tak koi SAVENT nahi kar paaya hai...

50 percent merger ke baad tum aadha waqt metaphysical activities ki practice me lagaoge aur aadha waqt issi process ko repeat karne me...

baatein bohot hui,shuru karo...

meri baat khatm hote hi un chaaron ka CEREBRATION process paused ho chuka tha....




10 DAYS LEFT FOR EXERTION:-





RAVADHAKOTINAM...

TIE WITH THE WIND.....



SLUNDER ne bola tha ye SPELL aur receiving end me tha ACCHUTA..

ye ek behad hi khatarnaak SPELL tha jiske maamuli asar se bhi ek behad strong wind force generate hoti thi aur apne opponent ko apne bhawar me fasa kar behosh kar deti thi...

aut hua bhi kuch aisa hi... SLUNDER ke uccharit SPELL se 20 feet badi turnoid ban ACCHUTA ki taraf badh gayi par aisa hote dekh ACCHUTA nervous nahi hua balki uske face par smile aa gayi aur...


GURUTWAKARSHANAM GARBHATE...

MAGNETIC FIELD ACTIVATE....


ACCHUTA ke uccharit SPELL se jo turnoid bani thi,uske theek neeche ek arificial magnetic field ban gayi jisme woh turnoid kheenchate hue khatm ho gaya...

apne apne SPELL bol woh dono ek dusre ke paas aaye aur....


ACCHUTA-yaar, tere SPELL ka power zyada lag raha tha..saale, practice kar rahe hain,issi me maarne ka irada hai kya...???


ACCHUTA ke shikayat me bhi SLUNDER ke liye taarif hi thi jisse sun...


SLUNDER-abbe normal level par SPELL bola tha par haan,thoda strong socha tha aur woh bhi isiliye kyunki mujhe maaulum tha ki isse kam power ki toh tu bina SPELL bole hi dodge de dega...

waise magnetic field ka idea kaafi acha tha...


SLUNDER ki baat par ACCHUTA kuch kehta ki tabhi...


BHUMIKEYA AGNIYEM...

SOUL HEAT....

BRAWNY ne bola ye SPELL jiske uccharit hote hi soil ka ek bawandar bana uske aage jiske baad us soil ke bawandar ka jo bhi bhaag saamne hota,usme garmi badhne lagi aur phir...

us garm bhaag se ret ka bana ek lamba bhaala jaisa hathiyar joki agni saa garam tha,HIDA ki taraf tezi se badha aur jab aisa hua toh...


SHEETALAM VARJATE

WATER WITH COOL BREEZE


HIDA ke uccharit SPELL se uske aage pehle ek paani ka chaadar bana jo hawa me chaadar jaisa lehra gaya aur kab aisa hua toh usse ek behad hi thandi par strong power waali hawa nikli jo paas aate
garm reth ke hathiyar par padi aur aisa hote hi...

CSSSHHHHHHH....

ek ajeeb si awaaz kar woh hathiyar us thandi hawa ki leher me jaise goom ho gaya aur aisa hone ke turant baad HIDA ne apna haath aage kiya jisse woh paani ka chaadar jo uske aage hawa me bana hua tha,woh behad tezi se aage gaya aur BRAWNY ke banaye reth ke bawandar se takra gaya aur jab aisa hua toh woh reth ka bawandar bhi gayab ho gaya...

SPELL ke is takrav ke khatm hote hi HIDA aur BRAWNY ke face par wahi smile aa gayi jo kuch der pehle SLUNDER aur ACCHUTA ke face par thi...

woh chaaron hi ek dusrebke paas aaye aur apne apne SPELLS aur dusre METAPHYSICAL activities ke baare me baat karne lage...

wahin in sabse alag un chaaron se kaafi door baitha thabmai apni aankhen band kar khudko nikharne me....

waise in chaaron ki hi tarah, DHANUR ke class me meri bhi training aur practice dono chaalu the,mai bhi apne shaktiyon ko,apne emotions ko refine aur stable karne me lagatar laga hua tha....

jo GODS RAY mere andar thi aur mujhe dhundni thi,usse lagatar dhundte aa raha tha mai par isme mai kitna kaamiyab hua tha,is baat ko filhal mere naam ki hi tarah rakhte hai..."RAAZ".....







PLACE-PHASE 2, MALL






HEY GUYZZZ, TUM LOG YAHAN....!!!!


mujhe, ACCHUTA aur SLUNDER ko dekh kahi ye baat MABEL ne...

shaam ka waqt hai,hum teeno training ke dauran use me aane waali kuch strecheble outfits dekhne yahan mall aaye the ki tabhi first floor par hi humse MABEL aur uske saath ALFREEN,aur VALDIS bhi takra gaye the... khair, MABEL ki bat sun...


MAI-khubsurti ka thikana dhundh raha tha,phir khayal tumhara aaya,aur kadam is taraf ho liye....


meri baat sun jahan ek taraf ALFREEN ke chehre par smile aa gayi,dusri taraf VALDIS ki sulag gayi wahin apni taarif sun khush ho gayi MABEL aur...


MABEL-ohho..kya baat hai...???aaj toh aap ka mood shayarana lag raha hai...

MAI-waise ye line ACCHUTA ki thi,bas maine sahi waqt dekh keh di....

MABEL-wow ACCHUTA,tum bhi shayri karte ho..


MABEL ke sawal par ACCHUTA se kuch kehte hi nahi bana..woh toh mere yun achanak usse involve karne se hi hadbada gaya tha..


MABEL ki baat sun woh bas halka sa muskura diya...

wahin MABEL ki baat sun...


ALFREEN-waise kya shopping ki ab tak...??


ye bol mere haath se khudhi mere shopping bags chhinte hue ALFREEN check karne lagi thi..


ALFREEN-arre what a coincidence...hum teeno bhi apne liye kuch strecheble layers hi lene aaye the...

tum teeno ki shopping ho gayi hai toh chalen,food court,kuch pet puja ki jaaye...


MAI-kuch shopping bachi hai abhi,phir chalte hain...

MABEL-arre duffer,humari bhi toh bachi hai..


ye bol uske kaan me kuch kaha MABEL ne jisse sun ALFREEN ne bhi haan me apna sir hilaya...

awaaz toh unko nahi sunayi di par itna toh hum sabhi samajh gaye the ki zaroor innerwears ki baat ho rahi thi..

khair, MABEL ke batane ke baad....


ALFREEN-guyzz...hume bhi 10,15 minutes lagenge,phir sidhe food court me milte hain...


VALDIS tum bhi inke saath hi raho aur kuch shopping bachi hai toh kar lo...


ye bol ALFREEN aur MABEL ek disha ki taraf badh gaye aur VALDIS bade dhyan se MABEL ko piche ki taraf se jaate hue dekhne laga jispar abhi ek pratikriya hone ki waali thi ki tabhi...


MAI-kya baat hai VALDIS...nazaren theher hi gayi hai teri toh...waise maanana padega...jodi sahi hai teri aur MABEL ki....


mere sentence ke pehle bhaag ko sun ghoora tha VALDIS se mujhe par aakhri bhaag ko sun ek proud smile aa gayi uske face par...

lekin isse pehle ki woh kuch kehta...


MAI-bilkul sage bhai behen lagte ho tum dono...upar waala tum dono ka ye pavitra bandhan aur pyar banaye rakhe...


HAHAHAHAHAHA....


jahan meri baat sun SLUNDER aur ACCHUTA zoron se hasne lage wahin ghusse se aag babula ho gaya VALDIS aur woh tezi se meri taraf badhne ko hua par uske aage badhte hi mai bhi ek jhatke me aage badha..

aur aisa karte waqt apne AURA ko halka sa release kar diya maine jiske bas chhune bhar se dard ke maare kaamp gaya VALDIS...

mai bilkul shaant mudra me thik uske saamne khada tha aur ek pal ke liye VALDIS ki ankhon ne dar dikha tha mujhe jisse dekh muskura utha mai..

wahin ab tak hase hi jaa rahe the ACCHUTA aur SLUNDER jinhe dekh pehle toh khudko shaant kiya VALDIS ne,phir ek kadam side hote hue piche hata aur....


VALDIS-bohot hasi aa rahi hai naa tum dono ko...sirf iske dum par bache hue ho dono par koi baat nahi...

EXERTION me toh catagory khud hi alag alag rakh li hai tum teeno ne...

RAAZ teri toh WHIZZ MABBA bajayengi aur tum dono ki mai faadunga...

ACCHUTA-abbe bol kya raha hai tu....???MABBA ke paas ladko ka hathiyar hai kya jo iski bajayengi aur tu saale gay...hamari faadne ki baat kar raha hai..

chutiye jab ladko me hi interest hai toh MABEL aur ALFREEN ke saath kyun ghumta rehta hai...!!!


ACCHUTA ki baat sun SLUNDER ki hasi aur badh gayi jisse dekh ek baar aur hum teeno ko hi ghusse me ghoor VALDIS nikal gaya..


VALDIS ke jaate hi mai ACCHUTA ki taraf mooda jo SLUNDER ke saath mil abhi bhi has raha tha..


MAI-maza aaya....

ACCHUTA-bohot bhai...

MAI-MABEL ke back ko jab VALDIS checkout kar raha tha,toh ghussa kyun hua tha...???usse maarne ke liye badh raha tha tu...!!!


meri baat sun SLUNDER toh ab bhi smile karta raha par ACCHUTA ki hasi ek second me hi gayab ho gayi aur...


ACCHUTA-nahi bhai..aaiisaa tthoh kuuchh bhii nnahiii hhhai..


halke haklate hue ye sentence kaha ACCHUTA ne jispar...


MAI-izhaare mohobbat me ajeeb hi haal hai,aakhen razamand hai,par labh khaamosh....


meri is shayri ko sun buri tarah hadbada gaya tha ACCHUTA jisse dekh pehle toh mai muskuraya aur phir...


MAI-relax..chalo,bachi shopping karte hain...


ye bol mai aage badhne hi waala tha ki tabhi...


RAAZ...ONE SEC....


ye awaaz mere piche se aayi thi jisse sun halka sa muskuraya mai aur piche palta jahan is waqt MAHI khadi mujhe hi dekh rahi thi...

piche palat maine kuch kaha nahi, bas aankhon me sawal liye usse dekhne laga jispar...


MAHI-i want to talk...can we...!!!

MAI-store jaao tum dono..aata hun mai...


meri baat sun bina kuch kahe ACCHUTA aur SLUNDER ek taraf badh gaye aur mai chal pada MAHI ki taraf....


MAHI-actually kuch puchna tha mujhe tumse....???

MAI-sawal ek hai yaa zyada....!!!


uske sawal ke upar mere bhi sawal puchne par ek pal usne mujhe dekha par mai shaanti se usse hi dekh raha tha...


MAHI-ek se zyada hua toh kya jawab nahi doge....???

MAI-agar jawab pata raha,toh sawal ek ho ya 100,jawab deta jaaunga, par mere syllabus se bahar ke questions ki zimmedari meri nahi....


MAHI-
izhaare mohobbat me ajeeb hi haal hai,aakhen razamand hai,par labh khaamosh....

itni deep shayri tumahare mooh se...ho kaun tum....????asliyat kya hai tumhari....????

aur sach kya hai..???kyunki dikhe chahe kitne hi roop,par sirf ek roop hi wakayi me sach hota hai...

BRAWNY aur uske parents ke saath jo tumne kiya,yaa toh woh tumhara sach hai yaa phir abhi ek sache dost ki tarah apne dost ke man ko padhna,woh sach...

SAVENT OF THE DAY competitive jeetne ke liye RADHA KRISHNA ke jis kahani ke bhaag aur tark ka istemal kiya tha tumne,usse kaun sa sach juda hai tumhara....????

MAI-AAG jhulsaati bhi hai aur ussi aag ke taap se thand me rahat bhi milta hai...

toh ye batao ki aag ka sach kya hai..???woh acha hai bura...???

baat sirf nazariye ki... aankhon ko utna hi dikhta hai jitna saamne hota hai...

deewar ke dusri taraf dekhne ka hunar har kisike paas nahi hota..

khair,mera sach WHITE ho BLACK,tum yaa koi aur mujhe kaise judge karte ho,isse mujhe fark nahi padta...

par filhal tum mere saamne mere character analysis ke liye toh nahi aayi ho...

ghaav jab khudke pair par ho toh dusre ke sharir me zakhm nahi dhundte MAHI...

isiliye,fizul ki baatein chhod kar mudde par aao aur batao,aisi kya taklif hai tumhe jiska tumhe lagta hai,ki ilaaj mere paas mil sakta hai....


meri kahi har baat se man hi man ittefaq rakh rahi thi MAHI aur ab jo baat maine kahi,usse sun woh halki hairan bhi hui aur...


MAHI-tumhe aisa kyun laga ki mujhe koi taklif hai aur ussi se related baat karna hai mujhe tumse...???

MAI-jaanti ho zyadatar competitions kyun jeete hain maine..???

kyunki calculations aur andaze bohot kam galat hote hain mere...

tumhare sapat chehre par bechain aankhen tumhari taklif bhi dikha rahi hai aur us taklif ko naa samajh paane par tumhe ho rahi jhunjlahat bhi...

aur waise bhi,kuch der pehle maine kaha tha naa ki deewar ke dusri taraf dekhne ka hunar har kisike paas nahi hota..

mujhe ye hunar GOD GIFT ke taur hi mil gaya hai..now,stop wasting your and my time MAHI,and speak up.....


meri baatein sun ek pal mujhe dekha MAHI ne aur...


MAHI-kaafi time se mujhe apne sir me bhaaripan mehsoos hone laga..

ek ajeeb sa pain jo institution ki activity ke waqt aur kabhi kabhi personal time me hadh se zyada badh jaata...

mera behavior bhi halka negetively provoking hone laga..

aisa lagne laga jaise mai khudse hi ladh rahi hun...

aur us din class me one on one combat ke waqt jab tum mere SPELLS ko kaat rahe the aur tumhara SPELL mujhe hit kar raha tha,toh mujhe ye thought aaya ki i should kill you...

aisa thought mujhe pehle kabhi kisike liye nahi aaya par woh thought jaise koi order tha jo mera brain mujhe hi de raha tha par uske baad jab mere SPELL ko firse block kar tumne apne SPELL se mujhe hit kiya toh us hit se mere pure sharir me ek jhatka sa laga..

us hit se mai behosh toh zaroor ho gayi thi par saath hi us hit se mile dard me bhi ek sukoon feel kiya tha maine...

ek aisa sukoon jo kaafi time se jaise gayab ho chuka tha mujhse...

aur hosh me aane ke baad se woh bhaaripan jisse regularly feel karti aa rahi thi mai,uska asar bhi kaafi kam ho gaya...

pain aur andar se ek pinch toh mujhe ab bhi feel hota hai par bohot kam...

sawal mera ye hai ki us task me aakhri me jo hum dono ne hi SPELL bola tha,woh ek hi tha...

par mere SPELL se shakti ka jo AURA nikla tha,tumhare SPELL se nikla shakti AURA usse behad alag aur powerful tha...

aisa kyun..???kya tumne apne SPELL me kuch additional power ko mix kiya tha...????

MAI- AUXILIARY POWER...


muskurate hue kahe maine ye shabd jisse sun halki si hairan hui MAHI par phir...


MAHI-tumne bhi ye book padhi hai...???aur kya issika use kiya tha tumne us din...

mujhe laga hi tha....mai najaane kitne dino se us book me batayi techniques try kar rahi hun par abhi tak successful nahi hui.....


(NOTE:-AUXILIARY BOOK ME HAR SPELL KE BEECH DUSRE KISI SPELL KE ASAR KO MIX KAR USE ME LAANE KE TECHNIQUES BATAYE GAYE HAIN..)


MAI-naam bataya toh matlab padha lena hota hai kya..????mai us book ke baare me bas jaanta hun,padha nahi hai maine usse...

waise bhi,kuch bhi sikhne se pehle us seekh ke shroth ki jaankari lene ki aadat hai mujhe....

aur jis book ki baat tum kar rahi ho,woh PHASE 3 me WICKEDS ko padhaya jaata hai aur woh bhi sirf un SAVENTS ko jinki negetive vibes baakiyon se zyada hoti hai..

waise SAVENTS hi is book me batayi techniques ko naturally use me laane ke liye saksham hote hain...

aur ab baat karte hain tumharo problem ki toh agar tum ye book yaa aisi hi aur books padh rahi ho toh ye tumhari bewakufi bhi hai aur tumhare liye dangerous bhi..

kyunki isse padhkar tumpar negetive impact padh rahe hain aur woh isiliye kyunki shayad tumhare andar positive energy hai jo WICKEDS ke opposite hai..

tumhare energy ka source aur us book ki vibe match nahi kar rahi aur agar tum usse aur padhti rahi toh khudko toh nuksaan pahunchaogi hi,par saath hi shayad us aur us jaise books ke impact se dusro ko bhi nuksaan pahuncha do,infact shayad anjane ke kisiko maar hi do....

aur agar mera ganit sahi hai joki hota hi hai toh mere SPELL se nikla positive AURA jab tumse takraya toh anjaane me hi sahi,tumne jo negetive energy khudme sammilit kar li hai,woh so gayi yaa phir kamzor ho gayi aur isiliye ab tumhari condition thik hai...

maine jo bataya tha,usse bohot bada shock laga tha MAHI ko...usse andaza bhi nahi tha ki woh anjaane me khudke saath kitna khatarnaak khel khel baithi hai..

halka sa dar uske face par dikhne laga tha par phir kuch yaad aate hi..


MAHI-par wo book aur waise hi kayi books mujhe VIDEOUS ne suggest kiye the...iska matlab usne bhi un books ko padha hoga toh shayad uspar bhi waisa hi negetive effect aaya hoga...???

MAI-mujhe nahi lagta... kyunki tumhare negetive symptoms dikhte aa rahe hain par uske nahi..

aur aisa sirf isiliye hi ho sakta hai kyunki us book ke negetive energy ne uske AMPLIFICATION modes se khudko merge kar liya hai...

jiska matlab hai ki VIDEOUS ek future WICKED hai par filhal usse ye khud pata nahi hai...

aur haan,usse un books aur apni problems ke baare me batana bhi mat kyunki bhale hi un books ki energy ne usse accept kar liya hai,par woh isse anjaan hai aur agar sacchayi jaankar usne ab un books ko padhna band kiya toh woh energy usse naraz ho jaaayengi aur usse nuksaan pahuncha baithengi...


meri baat sun samajhne waale andaz me MAHI ne sir hilaya aur...


MAHI-socha nahi tha ki anjaane me hi sahi,par tum meri madad karoge....

MAI-haadse aur surprise,dono hi sochkar nahi milte....

MAHI-aur ye haadsa hai yaa surprise...!!!

MAI-tumhare liye surprise aur tumhare andar moujud negetive energy ke liye haadsa....

meri baat sun muskura uthi MAHI aur....


MAHI-ye bhi nahi socha nahi tha ki kabhi tumse ye kahungi,thank you....

pehle anjaane me aur ab itna info dekar bohot badi help ki hai tumne meri...

MAI-aage bhi mat sochna,shayad phir se help kar dun tumhari....

MAHI-KYA HUM DOST BAN SAKTE HAIN...???

MAI-kaayde se dekhe toh abhi toh hum mile hain,sirf jaana hai tumne mujhe,pehchaana nahi,jo pehchaan bhi gayi toh dosti bhi kar lenge,tab tak,hum anjaan hi acche....


jahan ye bol mai muskurata hua palat kar aage badh gaya wahin meri baat sun MAHI ko bura nahi laga balki woh bhi muskura uthi aur uske mooh se bas ek hi shabd nikla...


MAHI-ATTITUDE.....


ye bol woh bhi palat apne raaste nikal gayi.....

khair, jaise hi mai palta toh..


DHANUR-maan gaye RAAZ....kitni asaani se shabdon ka jaal bun tumne usse aadha hi sahi par sach bhi bata diya,bina kasoorwaar thehraye ye bhi bata diya ki iske piche VIDEOUS hai aur saath saath ye bhi confirm kara liya ki MAHI VIDEOUS ko kuch bhi naa bataye taaki jaisa chal raha hai,waisa chalta rahe...

kaafi dino se MAHI tumse us din ke baare me baat karna chahti thi, aur kahin naa kahin tumhe bhi paheli suljhane ke liye usse baat kar puri sacchayi janana zaroori tha...

par dhairya rakha tumne.. tumhe maalum tha ki MAHI khud tumse baat karegi aur khud apni condition tumse saanjha bhi karegi...

aaj bhi usne tumhe yahan dekh liya tha aur tumhe maalum tha ki woh aaj tumse baat karegi hi aur wakayi me aisa ho bhi gaya...

tum wakayi dono LORDS ki urja ka pratik ho...aaj maine tumme dono LORDS ki chaturayi dekh li...

aur pata nahi kyun mujhe aisa lag raha hai is ek hi mulakat me jaise jo paheli numa raasta maine tumhe bataya tha,uska jawab numa manzil dhundh chuke ho tum...


MAI-haan...abhi MAHI ne jo bataya,usse ek picture chali mere dimag me aur us picture se ek aur picture dikhi mujhe aur aisa hote hi MANZIL ka pata lag gaya....

DHANUR-kya wakayi....???phir jaldi se theek kardo MAHI ko par usse pehle kya mai jaan sakta hun ki manzil dikhi kaise tumhe....???

MAI-MAHI ko yunhi theek nahi kar sakta mai....VIDEOUS ki aankhen filhal shaant hai aur ye sirf isiliye hai kyunki game uske hisaab se chal rahi hai...

agar abhi kuch kiya toh woh aankhen badi hone lagengi jiska matlab hai kuch naya aur bada hona jo filhal mai afford nahi kar sakta...

ab jo hoga woh EXERTION ki aad me hoga aur aise hoga ki murder bhi suicide lage...

aur waise bhi,aapke batayi paheli ka ek bhaag bhi aisa hi kuch hai,right...????

DHANUR-kya baat hai...par abhi bhi tumne bataya nahi ki manzil kaise dikhi tumhe....???


MAI-

taakat se zyada ladhne ke liye JIGAR HONA CHAHIYE....

baat sidhe dil par lage,har lavz me aisa ASAR HONA CHAHIYE.....

jo saamne hai,woh toh dikhta hi hai,

par jo chhupa hai, woh bhi dikh jaaye,aisa NAZAR HONA CHAHIYE....













AAJ KE LIYE ITNA HI.....








 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI FRIENDLY COMBAT KE DAURAN DHANUR RAAZ KO BATATA HAI KI MAHI KE ANDAR BLACK ENERGY SAMAYI HUI HAI...


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



UPDATE-98



PLANET-ELYSIAN


PLACE-THE FORBIDDEN SPACE




20 DAYS LEFT FOR EXERTION...








AHHHH....AHHHHH.....AHHHHH.....AHHHH.......

ek ke baad ek chaar baar cheekh nikli ACCHUTA, SLUNDER, HIDA aur BRAWNY ki jiske baad woh sabhi apne apne paused CEREBRATION se bahar aa gaye...

dopahar ka waqt hai...pichle 10 dino se lagatar institution se aane ke baad ye chaaron mere saath yahan PROHIBITED SPACE me aakar apni shamata ko viksit karne ka prayas kar rahe hain aur har baar thodi thodi der me in sabke CEREBRATION process ke tootne se inhe yunhi dard hota aa raha hai...

khair,cheekh ke saath hi chaaron apni apni jagah se uth gaye aur..


HIDA-RAAZ,aur kab tak hume yahi process repeat karte rehna hai....???

pichle 10 dino se hum yahi kar rahe hain par dard ke siwa hume aur kuch bhi haasil nahi hua hai...

ACCHUTA-haan bhai..wahan class me toh sabhi alag alag metaphysical activities kar rahe hain..

HOAX hit ke naye naye techniques sikh rahe hain par tune wahan bhi hume bas sikhne ki acting karne ko kaha hai..

aise me toh competition me lag jaani hai humari....


chaaron ke chehre par nirasha saaf dikh rahi thi aur jitna unhe maaum hai yaa phir ye kahun ki maine bataya hai,uske hisaab se ye maayusi galat bhi nahi hai...

darasal 19 din pehle abhyas ke pehle din maine inhe ye kaha tha yaa phir ye kahun ki DHANUR ke according ye bataya tha ki inhe sirf ek hi chiz karni hai,aur woh ye ki CEREBRATION process ko paused kar apne chaaron AMPLIFICATION modes ki urja ko apne apne GOD GIFTS shaktiyon par joki unke heart ke ird gird jami hui thi, uspar modte hue focus banaye rakhna hai..

aisa karte waqt jab bhi unke heart me kampan ho, vibration ho toh unhe us kampan ko count karna tha...

bas itna hi kaam tha in chaaron ka par ye proccess AMPLIFICATION modes ke attach hone ki wajah se bohot zyada painful bhi tha aur lagatar ek hi chiz karne ki wajah se boring bhi...

in 10 dino me 20 se zyada baar ek hi proccess ko lagatar karte rehne ki shikayat kar chuke the ye chaaron mujhse par mai bas unhe proccess repeat karne ke liye kehta aaya tha...

par is baar jab HIDA aur ACCHUTA ne ek baar phirse same complaint ki toh....


MAI-vibration counting kaha tak pahunchi hai...???


har baar un chaaron ki shikayat par yahi sawal rehta tha mera aur ab bhi jab maine same baat kahi toh....


ACCHUTA-25 ho gaye hain bhai...

MAI-repeat....


meri baat sun halki udaasi dikhne lagi chaaron me kyunki har baar unke sawal ke baad mai unhe wapas proccess repeat karne ke liye bolta tha aur isiliye is baar bhi mere bolne ke baad ACCHUTA aur baaki teeno bhi proccess repeat karne ke liye baithne hi waale the ki tabhi...


MAI-25 vibrations aur haasil karne hai tum sabko..


ye pehli alag baat thi jo kahi thi maine un sabko jisse sun woh sabhi halke excited ho gaye aur...


ACCHUTA-25 aur matlab...!!!??uske baad kya hum bhi alag alag SPELLS practice karna sikhenge...

MAI-sirf practice karoge..sikhne ki zaroorat nahi padegi..

jo proccess tum chaaron kar rahe ho,aur isme jo vibrations feel ho rahi hai tum sabko,woh tumhare chaaron AMPLIFICATION modes ke tum sabke GOD GIFTS shaktiyon ke saath 1,1 percent merge hone par ho rahi hai...

aur jab ye pratishat 50 par pahunchega,toh jitne bhi SPELLS aur METAPHYSICAL activities ke books tum chaaron ne padhe hain yaa dekhe hain,woh sab automatically tumhare andar feed ho jaayege jisse practice ke saath tum chaaron nikharoge....


mere is khulase se behadh khush ho gaye the woh chaaron aur saath hi ek nahi urja bhar si gayi thi un sabke andar....


ACCHUTA-toh bhai,ye pehle nahi bata sakta tha tu...???abhi tak toh kisi bhi condition me 50 percent tak apne apne AMPLIFICATION modes ko apni shaktiyon ke saath merge kar chuke hote hum...

MAI-nahi kar sakte the...jitna waqt lag raha hai,is proccess me utna hi lagega...

HIDA-toh kya ye merger aadha hi hota hai,pura nahi..???

MAI-koi merger kabhi aadha nahi hota HIDA...par 50 percent merger ke baad tum sab har metaphysical activity jo is institution me sikhayi jaati hai,usse karne ke liye qualify ho jaaoge aur jab woh merger 100 percent par pahunchega,toh tum woh sab bhi kar paaoge joh ab tak koi SAVENT nahi kar paaya hai...

50 percent merger ke baad tum aadha waqt metaphysical activities ki practice me lagaoge aur aadha waqt issi process ko repeat karne me...

baatein bohot hui,shuru karo...

meri baat khatm hote hi un chaaron ka CEREBRATION process paused ho chuka tha....




10 DAYS LEFT FOR EXERTION:-





RAVADHAKOTINAM...

TIE WITH THE WIND.....



SLUNDER ne bola tha ye SPELL aur receiving end me tha ACCHUTA..

ye ek behad hi khatarnaak SPELL tha jiske maamuli asar se bhi ek behad strong wind force generate hoti thi aur apne opponent ko apne bhawar me fasa kar behosh kar deti thi...

aut hua bhi kuch aisa hi... SLUNDER ke uccharit SPELL se 20 feet badi turnoid ban ACCHUTA ki taraf badh gayi par aisa hote dekh ACCHUTA nervous nahi hua balki uske face par smile aa gayi aur...


GURUTWAKARSHANAM GARBHATE...

MAGNETIC FIELD ACTIVATE....


ACCHUTA ke uccharit SPELL se jo turnoid bani thi,uske theek neeche ek arificial magnetic field ban gayi jisme woh turnoid kheenchate hue khatm ho gaya...

apne apne SPELL bol woh dono ek dusre ke paas aaye aur....


ACCHUTA-yaar, tere SPELL ka power zyada lag raha tha..saale, practice kar rahe hain,issi me maarne ka irada hai kya...???


ACCHUTA ke shikayat me bhi SLUNDER ke liye taarif hi thi jisse sun...


SLUNDER-abbe normal level par SPELL bola tha par haan,thoda strong socha tha aur woh bhi isiliye kyunki mujhe maaulum tha ki isse kam power ki toh tu bina SPELL bole hi dodge de dega...

waise magnetic field ka idea kaafi acha tha...


SLUNDER ki baat par ACCHUTA kuch kehta ki tabhi...


BHUMIKEYA AGNIYEM...

SOUL HEAT....

BRAWNY ne bola ye SPELL jiske uccharit hote hi soil ka ek bawandar bana uske aage jiske baad us soil ke bawandar ka jo bhi bhaag saamne hota,usme garmi badhne lagi aur phir...

us garm bhaag se ret ka bana ek lamba bhaala jaisa hathiyar joki agni saa garam tha,HIDA ki taraf tezi se badha aur jab aisa hua toh...


SHEETALAM VARJATE

WATER WITH COOL BREEZE


HIDA ke uccharit SPELL se uske aage pehle ek paani ka chaadar bana jo hawa me chaadar jaisa lehra gaya aur kab aisa hua toh usse ek behad hi thandi par strong power waali hawa nikli jo paas aate
garm reth ke hathiyar par padi aur aisa hote hi...

CSSSHHHHHHH....

ek ajeeb si awaaz kar woh hathiyar us thandi hawa ki leher me jaise goom ho gaya aur aisa hone ke turant baad HIDA ne apna haath aage kiya jisse woh paani ka chaadar jo uske aage hawa me bana hua tha,woh behad tezi se aage gaya aur BRAWNY ke banaye reth ke bawandar se takra gaya aur jab aisa hua toh woh reth ka bawandar bhi gayab ho gaya...

SPELL ke is takrav ke khatm hote hi HIDA aur BRAWNY ke face par wahi smile aa gayi jo kuch der pehle SLUNDER aur ACCHUTA ke face par thi...

woh chaaron hi ek dusrebke paas aaye aur apne apne SPELLS aur dusre METAPHYSICAL activities ke baare me baat karne lage...

wahin in sabse alag un chaaron se kaafi door baitha thabmai apni aankhen band kar khudko nikharne me....

waise in chaaron ki hi tarah, DHANUR ke class me meri bhi training aur practice dono chaalu the,mai bhi apne shaktiyon ko,apne emotions ko refine aur stable karne me lagatar laga hua tha....

jo GODS RAY mere andar thi aur mujhe dhundni thi,usse lagatar dhundte aa raha tha mai par isme mai kitna kaamiyab hua tha,is baat ko filhal mere naam ki hi tarah rakhte hai..."RAAZ".....







PLACE-PHASE 2, MALL






HEY GUYZZZ, TUM LOG YAHAN....!!!!


mujhe, ACCHUTA aur SLUNDER ko dekh kahi ye baat MABEL ne...

shaam ka waqt hai,hum teeno training ke dauran use me aane waali kuch strecheble outfits dekhne yahan mall aaye the ki tabhi first floor par hi humse MABEL aur uske saath ALFREEN,aur VALDIS bhi takra gaye the... khair, MABEL ki bat sun...


MAI-khubsurti ka thikana dhundh raha tha,phir khayal tumhara aaya,aur kadam is taraf ho liye....


meri baat sun jahan ek taraf ALFREEN ke chehre par smile aa gayi,dusri taraf VALDIS ki sulag gayi wahin apni taarif sun khush ho gayi MABEL aur...


MABEL-ohho..kya baat hai...???aaj toh aap ka mood shayarana lag raha hai...

MAI-waise ye line ACCHUTA ki thi,bas maine sahi waqt dekh keh di....

MABEL-wow ACCHUTA,tum bhi shayri karte ho..


MABEL ke sawal par ACCHUTA se kuch kehte hi nahi bana..woh toh mere yun achanak usse involve karne se hi hadbada gaya tha..


MABEL ki baat sun woh bas halka sa muskura diya...

wahin MABEL ki baat sun...


ALFREEN-waise kya shopping ki ab tak...??


ye bol mere haath se khudhi mere shopping bags chhinte hue ALFREEN check karne lagi thi..


ALFREEN-arre what a coincidence...hum teeno bhi apne liye kuch strecheble layers hi lene aaye the...

tum teeno ki shopping ho gayi hai toh chalen,food court,kuch pet puja ki jaaye...


MAI-kuch shopping bachi hai abhi,phir chalte hain...

MABEL-arre duffer,humari bhi toh bachi hai..


ye bol uske kaan me kuch kaha MABEL ne jisse sun ALFREEN ne bhi haan me apna sir hilaya...

awaaz toh unko nahi sunayi di par itna toh hum sabhi samajh gaye the ki zaroor innerwears ki baat ho rahi thi..

khair, MABEL ke batane ke baad....


ALFREEN-guyzz...hume bhi 10,15 minutes lagenge,phir sidhe food court me milte hain...


VALDIS tum bhi inke saath hi raho aur kuch shopping bachi hai toh kar lo...


ye bol ALFREEN aur MABEL ek disha ki taraf badh gaye aur VALDIS bade dhyan se MABEL ko piche ki taraf se jaate hue dekhne laga jispar abhi ek pratikriya hone ki waali thi ki tabhi...


MAI-kya baat hai VALDIS...nazaren theher hi gayi hai teri toh...waise maanana padega...jodi sahi hai teri aur MABEL ki....


mere sentence ke pehle bhaag ko sun ghoora tha VALDIS se mujhe par aakhri bhaag ko sun ek proud smile aa gayi uske face par...

lekin isse pehle ki woh kuch kehta...


MAI-bilkul sage bhai behen lagte ho tum dono...upar waala tum dono ka ye pavitra bandhan aur pyar banaye rakhe...


HAHAHAHAHAHA....


jahan meri baat sun SLUNDER aur ACCHUTA zoron se hasne lage wahin ghusse se aag babula ho gaya VALDIS aur woh tezi se meri taraf badhne ko hua par uske aage badhte hi mai bhi ek jhatke me aage badha..

aur aisa karte waqt apne AURA ko halka sa release kar diya maine jiske bas chhune bhar se dard ke maare kaamp gaya VALDIS...

mai bilkul shaant mudra me thik uske saamne khada tha aur ek pal ke liye VALDIS ki ankhon ne dar dikha tha mujhe jisse dekh muskura utha mai..

wahin ab tak hase hi jaa rahe the ACCHUTA aur SLUNDER jinhe dekh pehle toh khudko shaant kiya VALDIS ne,phir ek kadam side hote hue piche hata aur....


VALDIS-bohot hasi aa rahi hai naa tum dono ko...sirf iske dum par bache hue ho dono par koi baat nahi...

EXERTION me toh catagory khud hi alag alag rakh li hai tum teeno ne...

RAAZ teri toh WHIZZ MABBA bajayengi aur tum dono ki mai faadunga...

ACCHUTA-abbe bol kya raha hai tu....???MABBA ke paas ladko ka hathiyar hai kya jo iski bajayengi aur tu saale gay...hamari faadne ki baat kar raha hai..

chutiye jab ladko me hi interest hai toh MABEL aur ALFREEN ke saath kyun ghumta rehta hai...!!!


ACCHUTA ki baat sun SLUNDER ki hasi aur badh gayi jisse dekh ek baar aur hum teeno ko hi ghusse me ghoor VALDIS nikal gaya..


VALDIS ke jaate hi mai ACCHUTA ki taraf mooda jo SLUNDER ke saath mil abhi bhi has raha tha..


MAI-maza aaya....

ACCHUTA-bohot bhai...

MAI-MABEL ke back ko jab VALDIS checkout kar raha tha,toh ghussa kyun hua tha...???usse maarne ke liye badh raha tha tu...!!!


meri baat sun SLUNDER toh ab bhi smile karta raha par ACCHUTA ki hasi ek second me hi gayab ho gayi aur...


ACCHUTA-nahi bhai..aaiisaa tthoh kuuchh bhii nnahiii hhhai..


halke haklate hue ye sentence kaha ACCHUTA ne jispar...


MAI-izhaare mohobbat me ajeeb hi haal hai,aakhen razamand hai,par labh khaamosh....


meri is shayri ko sun buri tarah hadbada gaya tha ACCHUTA jisse dekh pehle toh mai muskuraya aur phir...


MAI-relax..chalo,bachi shopping karte hain...


ye bol mai aage badhne hi waala tha ki tabhi...


RAAZ...ONE SEC....


ye awaaz mere piche se aayi thi jisse sun halka sa muskuraya mai aur piche palta jahan is waqt MAHI khadi mujhe hi dekh rahi thi...

piche palat maine kuch kaha nahi, bas aankhon me sawal liye usse dekhne laga jispar...


MAHI-i want to talk...can we...!!!

MAI-store jaao tum dono..aata hun mai...


meri baat sun bina kuch kahe ACCHUTA aur SLUNDER ek taraf badh gaye aur mai chal pada MAHI ki taraf....


MAHI-actually kuch puchna tha mujhe tumse....???

MAI-sawal ek hai yaa zyada....!!!


uske sawal ke upar mere bhi sawal puchne par ek pal usne mujhe dekha par mai shaanti se usse hi dekh raha tha...


MAHI-ek se zyada hua toh kya jawab nahi doge....???

MAI-agar jawab pata raha,toh sawal ek ho ya 100,jawab deta jaaunga, par mere syllabus se bahar ke questions ki zimmedari meri nahi....


MAHI-
izhaare mohobbat me ajeeb hi haal hai,aakhen razamand hai,par labh khaamosh....

itni deep shayri tumahare mooh se...ho kaun tum....????asliyat kya hai tumhari....????

aur sach kya hai..???kyunki dikhe chahe kitne hi roop,par sirf ek roop hi wakayi me sach hota hai...

BRAWNY aur uske parents ke saath jo tumne kiya,yaa toh woh tumhara sach hai yaa phir abhi ek sache dost ki tarah apne dost ke man ko padhna,woh sach...

SAVENT OF THE DAY competitive jeetne ke liye RADHA KRISHNA ke jis kahani ke bhaag aur tark ka istemal kiya tha tumne,usse kaun sa sach juda hai tumhara....????

MAI-AAG jhulsaati bhi hai aur ussi aag ke taap se thand me rahat bhi milta hai...

toh ye batao ki aag ka sach kya hai..???woh acha hai bura...???

baat sirf nazariye ki... aankhon ko utna hi dikhta hai jitna saamne hota hai...

deewar ke dusri taraf dekhne ka hunar har kisike paas nahi hota..

khair,mera sach WHITE ho BLACK,tum yaa koi aur mujhe kaise judge karte ho,isse mujhe fark nahi padta...

par filhal tum mere saamne mere character analysis ke liye toh nahi aayi ho...

ghaav jab khudke pair par ho toh dusre ke sharir me zakhm nahi dhundte MAHI...

isiliye,fizul ki baatein chhod kar mudde par aao aur batao,aisi kya taklif hai tumhe jiska tumhe lagta hai,ki ilaaj mere paas mil sakta hai....


meri kahi har baat se man hi man ittefaq rakh rahi thi MAHI aur ab jo baat maine kahi,usse sun woh halki hairan bhi hui aur...


MAHI-tumhe aisa kyun laga ki mujhe koi taklif hai aur ussi se related baat karna hai mujhe tumse...???

MAI-jaanti ho zyadatar competitions kyun jeete hain maine..???

kyunki calculations aur andaze bohot kam galat hote hain mere...

tumhare sapat chehre par bechain aankhen tumhari taklif bhi dikha rahi hai aur us taklif ko naa samajh paane par tumhe ho rahi jhunjlahat bhi...

aur waise bhi,kuch der pehle maine kaha tha naa ki deewar ke dusri taraf dekhne ka hunar har kisike paas nahi hota..

mujhe ye hunar GOD GIFT ke taur hi mil gaya hai..now,stop wasting your and my time MAHI,and speak up.....


meri baatein sun ek pal mujhe dekha MAHI ne aur...


MAHI-kaafi time se mujhe apne sir me bhaaripan mehsoos hone laga..

ek ajeeb sa pain jo institution ki activity ke waqt aur kabhi kabhi personal time me hadh se zyada badh jaata...

mera behavior bhi halka negetively provoking hone laga..

aisa lagne laga jaise mai khudse hi ladh rahi hun...

aur us din class me one on one combat ke waqt jab tum mere SPELLS ko kaat rahe the aur tumhara SPELL mujhe hit kar raha tha,toh mujhe ye thought aaya ki i should kill you...

aisa thought mujhe pehle kabhi kisike liye nahi aaya par woh thought jaise koi order tha jo mera brain mujhe hi de raha tha par uske baad jab mere SPELL ko firse block kar tumne apne SPELL se mujhe hit kiya toh us hit se mere pure sharir me ek jhatka sa laga..

us hit se mai behosh toh zaroor ho gayi thi par saath hi us hit se mile dard me bhi ek sukoon feel kiya tha maine...

ek aisa sukoon jo kaafi time se jaise gayab ho chuka tha mujhse...

aur hosh me aane ke baad se woh bhaaripan jisse regularly feel karti aa rahi thi mai,uska asar bhi kaafi kam ho gaya...

pain aur andar se ek pinch toh mujhe ab bhi feel hota hai par bohot kam...

sawal mera ye hai ki us task me aakhri me jo hum dono ne hi SPELL bola tha,woh ek hi tha...

par mere SPELL se shakti ka jo AURA nikla tha,tumhare SPELL se nikla shakti AURA usse behad alag aur powerful tha...

aisa kyun..???kya tumne apne SPELL me kuch additional power ko mix kiya tha...????

MAI- AUXILIARY POWER...


muskurate hue kahe maine ye shabd jisse sun halki si hairan hui MAHI par phir...


MAHI-tumne bhi ye book padhi hai...???aur kya issika use kiya tha tumne us din...

mujhe laga hi tha....mai najaane kitne dino se us book me batayi techniques try kar rahi hun par abhi tak successful nahi hui.....


(NOTE:-AUXILIARY BOOK ME HAR SPELL KE BEECH DUSRE KISI SPELL KE ASAR KO MIX KAR USE ME LAANE KE TECHNIQUES BATAYE GAYE HAIN..)


MAI-naam bataya toh matlab padha lena hota hai kya..????mai us book ke baare me bas jaanta hun,padha nahi hai maine usse...

waise bhi,kuch bhi sikhne se pehle us seekh ke shroth ki jaankari lene ki aadat hai mujhe....

aur jis book ki baat tum kar rahi ho,woh PHASE 3 me WICKEDS ko padhaya jaata hai aur woh bhi sirf un SAVENTS ko jinki negetive vibes baakiyon se zyada hoti hai..

waise SAVENTS hi is book me batayi techniques ko naturally use me laane ke liye saksham hote hain...

aur ab baat karte hain tumharo problem ki toh agar tum ye book yaa aisi hi aur books padh rahi ho toh ye tumhari bewakufi bhi hai aur tumhare liye dangerous bhi..

kyunki isse padhkar tumpar negetive impact padh rahe hain aur woh isiliye kyunki shayad tumhare andar positive energy hai jo WICKEDS ke opposite hai..

tumhare energy ka source aur us book ki vibe match nahi kar rahi aur agar tum usse aur padhti rahi toh khudko toh nuksaan pahunchaogi hi,par saath hi shayad us aur us jaise books ke impact se dusro ko bhi nuksaan pahuncha do,infact shayad anjane ke kisiko maar hi do....

aur agar mera ganit sahi hai joki hota hi hai toh mere SPELL se nikla positive AURA jab tumse takraya toh anjaane me hi sahi,tumne jo negetive energy khudme sammilit kar li hai,woh so gayi yaa phir kamzor ho gayi aur isiliye ab tumhari condition thik hai...

maine jo bataya tha,usse bohot bada shock laga tha MAHI ko...usse andaza bhi nahi tha ki woh anjaane me khudke saath kitna khatarnaak khel khel baithi hai..

halka sa dar uske face par dikhne laga tha par phir kuch yaad aate hi..


MAHI-par wo book aur waise hi kayi books mujhe VIDEOUS ne suggest kiye the...iska matlab usne bhi un books ko padha hoga toh shayad uspar bhi waisa hi negetive effect aaya hoga...???

MAI-mujhe nahi lagta... kyunki tumhare negetive symptoms dikhte aa rahe hain par uske nahi..

aur aisa sirf isiliye hi ho sakta hai kyunki us book ke negetive energy ne uske AMPLIFICATION modes se khudko merge kar liya hai...

jiska matlab hai ki VIDEOUS ek future WICKED hai par filhal usse ye khud pata nahi hai...

aur haan,usse un books aur apni problems ke baare me batana bhi mat kyunki bhale hi un books ki energy ne usse accept kar liya hai,par woh isse anjaan hai aur agar sacchayi jaankar usne ab un books ko padhna band kiya toh woh energy usse naraz ho jaaayengi aur usse nuksaan pahuncha baithengi...


meri baat sun samajhne waale andaz me MAHI ne sir hilaya aur...


MAHI-socha nahi tha ki anjaane me hi sahi,par tum meri madad karoge....

MAI-haadse aur surprise,dono hi sochkar nahi milte....

MAHI-aur ye haadsa hai yaa surprise...!!!

MAI-tumhare liye surprise aur tumhare andar moujud negetive energy ke liye haadsa....

meri baat sun muskura uthi MAHI aur....


MAHI-ye bhi nahi socha nahi tha ki kabhi tumse ye kahungi,thank you....

pehle anjaane me aur ab itna info dekar bohot badi help ki hai tumne meri...

MAI-aage bhi mat sochna,shayad phir se help kar dun tumhari....

MAHI-KYA HUM DOST BAN SAKTE HAIN...???

MAI-kaayde se dekhe toh abhi toh hum mile hain,sirf jaana hai tumne mujhe,pehchaana nahi,jo pehchaan bhi gayi toh dosti bhi kar lenge,tab tak,hum anjaan hi acche....


jahan ye bol mai muskurata hua palat kar aage badh gaya wahin meri baat sun MAHI ko bura nahi laga balki woh bhi muskura uthi aur uske mooh se bas ek hi shabd nikla...


MAHI-ATTITUDE.....


ye bol woh bhi palat apne raaste nikal gayi.....

khair, jaise hi mai palta toh..


DHANUR-maan gaye RAAZ....kitni asaani se shabdon ka jaal bun tumne usse aadha hi sahi par sach bhi bata diya,bina kasoorwaar thehraye ye bhi bata diya ki iske piche VIDEOUS hai aur saath saath ye bhi confirm kara liya ki MAHI VIDEOUS ko kuch bhi naa bataye taaki jaisa chal raha hai,waisa chalta rahe...

kaafi dino se MAHI tumse us din ke baare me baat karna chahti thi, aur kahin naa kahin tumhe bhi paheli suljhane ke liye usse baat kar puri sacchayi janana zaroori tha...

par dhairya rakha tumne.. tumhe maalum tha ki MAHI khud tumse baat karegi aur khud apni condition tumse saanjha bhi karegi...

aaj bhi usne tumhe yahan dekh liya tha aur tumhe maalum tha ki woh aaj tumse baat karegi hi aur wakayi me aisa ho bhi gaya...

tum wakayi dono LORDS ki urja ka pratik ho...aaj maine tumme dono LORDS ki chaturayi dekh li...

aur pata nahi kyun mujhe aisa lag raha hai is ek hi mulakat me jaise jo paheli numa raasta maine tumhe bataya tha,uska jawab numa manzil dhundh chuke ho tum...


MAI-haan...abhi MAHI ne jo bataya,usse ek picture chali mere dimag me aur us picture se ek aur picture dikhi mujhe aur aisa hote hi MANZIL ka pata lag gaya....

DHANUR-kya wakayi....???phir jaldi se theek kardo MAHI ko par usse pehle kya mai jaan sakta hun ki manzil dikhi kaise tumhe....???

MAI-MAHI ko yunhi theek nahi kar sakta mai....VIDEOUS ki aankhen filhal shaant hai aur ye sirf isiliye hai kyunki game uske hisaab se chal rahi hai...

agar abhi kuch kiya toh woh aankhen badi hone lagengi jiska matlab hai kuch naya aur bada hona jo filhal mai afford nahi kar sakta...

ab jo hoga woh EXERTION ki aad me hoga aur aise hoga ki murder bhi suicide lage...

aur waise bhi,aapke batayi paheli ka ek bhaag bhi aisa hi kuch hai,right...????

DHANUR-kya baat hai...par abhi bhi tumne bataya nahi ki manzil kaise dikhi tumhe....???


MAI-

taakat se zyada ladhne ke liye JIGAR HONA CHAHIYE....

baat sidhe dil par lage,har lavz me aisa ASAR HONA CHAHIYE.....

jo saamne hai,woh toh dikhta hi hai,

par jo chhupa hai, woh bhi dikh jaaye,aisa NAZAR HONA CHAHIYE....













AAJ KE LIYE ITNA HI.....








 

Top