Fantasy ATTITUDE (KABHI ANGEL KABHI DEVIL) (vj4u)

Member
278
52
28
A SMALL BRIEF:-




VIDIOUS..........naam toh yaad hi hoga..kaise bana,kyun bana!!!!!

jo ATTITUDE ka first installment padh chuke hain wo toh ye jaante hi honge ki VIDIOUS ke utpatti us waqt hui jis waqt VIKRAM apni asli pehchan me aa chuka tha.. matlab LORD OF ANGEL wo ban chuka tha aur uske saath hi uska bhai ASMODEUS jo ki pehle hi apni purani position matlab CREATURE OF JUDGEMENT ban chuka tha....

kehne ka matlab ye hai ki aisa toh hua nahi hoga ki VIDIOUS jaise maha khatre ki utpatti ka in dono ko pata naa chala ho khaas kar tab jab usme in dono ke hi powers ke ansh moujud hain aur in sabse upar in dono ke khatarnaak dimag ke chitte bhi iske andar hain....

toh aise me LORD OF ANGEL aur CREATURE OF JUDGEMENT ne kya kiya hoga,kaise deal ki hogi ye khatarnaak situation,khaas kar tab jab ab wo dono is kahani ke HERO nahi rahe.....

aur sabse important,VIDIOUS ne kya kya kiya hoga,aur uski chaalon ka jawab kya aur kaise diya jaayega,ye sabkuch padhenge aap ATTITUDE (KABHI ANGEL KABHI DEVIL) me........
 
Member
278
52
28
UPDATE-1





TU KHUD EK SAWAL HAI....
AUR TERA JAWAB MUJHME HAI...

PADH MUJHE US SYAHI SE,
JO HAR WAQT TUJHME HAI......

............................



HAI TOH TU EK TUCH NAASHWAAN....EK MAMULI MORTAL,PAR MAANANA PADEGA,JAAN FIR BHI SAKHT HAI...

ARRE ARRE YE KYA........????

chingari dikhne lagi thi ............ ke hatheliyon me,jisse dekh haste hue........ne pucha.....

AGAR AUR PRAHAR KARNA HOTA TOH KYA MAI AB TAK YUNHI BAATON ME WAQT GAWATA....

ISKE JISM SE ISKE ROOH KO ALAG KARNE KE LIYE JITNE WAAR ISSE KARNE THE,HUM KAR CHUKE HAIN...

AGAR ISPE EK BHI WAAR AUR HUA TOH ISKE TADAPTE SHAREER KO SHANTI MIL JAAYEGI....

AUR PATA NAHI KYUN,YE MAI NAHI HONE DENA CHAHTA....ISSE YUN EK KIDE KI TARAH BEBAS LAACHAR TADAPTE HUE DEKHKAR BADA ANAND AA RAHA HAI....

YUNHI TADAPTE TADAPTE DHEERE DHEERE MARNE DE ISSE....ISKE CHEHRE PAR UMADTA YE DARD,MERI JALTI HUI KAALI ROOH PAR THANDE PAANI KA KAAM KAR RAHI HAI.......

TUMHARA BAS CHALE TOH TUM ISSE HAR ROZ MAARO....

WAJAH TOH MAALUM HI HAI TUMHE...HAI TOH YE NASHWAR...MAAMULI MORTAL...PAR PATA NAHI KYUN,ISKI MOUJUDGI EK GHUTAN PAIDA KARTI HAI MERE ANDAR....

fir se wahi chingari naachne lagi......... ki aankhon me...

mai unke saamne pada mar raha tha,par ab bhi unki aankhon me mere liye wahi ghrina thi,wahi krodh jisse lagatar apne andar zabt karte aaye the wo ............

wahin neeche zamin par kisi kide ki tarah pada mai unke chehre ko ektak dekh raha tha...

marnasthal par pahunchkar bhi mere aankhon ka sunapan jyon ke tyon tha....

mere chehre par dard saaf jhalak raha tha fir bhi mai bhaav shunya tha...

naa moh na maaya,naa koi khwahish...khush hone waali paristithi toh thi nahi par koi gum tak naa tha mere chehre par....

par haan,ek sawal zaroor uth raha tha mere zehen me..ye wahi sawal tha jo mere zehen me tab se uthta aa raha tha jabse SOCH shabd ka matlab samajh aaya tha mujhe...

AAKHIR KAUN HUN MAI....????KYUN ALAG HUN MAI SABSE....?????WAISE TOH SABKI APNI SOCH HOTI HAI PAR KUCH BAATEIN TOH SABME COMMON HI HOTI HAI....

PAR YE KHUBI BHI MUJHME NAA THI....KHUSHI AUR GUM,IN DONO EHSAASON SE HI MAI AAJ TAK MEHROOM THA....

AUR AB TOH ZINDAGI HI APNE AAKHRI MUKAM PAR HAI.......APNE SAARE SAWAALON KO KHUDME SAMETKAR ANKHEN BAND KAR LI MAINE AUR TABHI.....


.................HICH ....................


AUR YE AAYI MERI AAKHRI HICHKI.....

AAKHIRKAAR.....

..........MAR GAYA.............



NEARLY 18 YEARS AGO:-




PLACE- HEAVEN





TOH WAQT AA HI GAYA......!!!!!

sawal kahen ya jawab,tha toh ek hi ek par isse bolne waale lub do the....ek AVANTIKA ke aur dusre ALESENDRA ke.....

aur jisse sun LORD OF ANGEL aur THE CREATURE OF JUDGEMENT, dono hi muskura uthe....

waise muskura toh ALESENDRA aur AVANTIKA bhi rahi thi par un dono ki muskaan me ek sankoch tha,ek anishchayata thi....


VIKRAM-ladki human ho ya fir ek ANGEL,sawal me jawab aur ussi jawab me chhupa sawal.aisa dotarfa waar karne ka hunar aap sab me hota hi hai,kyun AV?????

AVANTIKA-thik waise hi jaise ladka human ho ya fir ek ANGEL,sawal ke jawab ke badle ek naya sawal,ye hunar aap sab me kut kut kar bhara hai..kyun V.J???


AVANTIKA ki baat sun jahan ek taraf mai aur mera bhai zoron se has diye wahin AVANTIKA aur ALESENDRA ke sawalon se bhare chehre par ghussa aur chidh chha gayi....


ALESENDRA- ek baat bataiye aap dono...humare sawalon me kya chutkulle hote hain jo aap dono sunte hi ya toh muskurane lagte hain ya fir hasne......

ASMODEUS- aap dono jo bhi sawal humse puchte hain,humare jawab naa dene ke kuch waqt ke baad khud hi us sawal ke jawab aap dhund lete hain....

aur ye har baar hota hai...kehne ka arth,aapke dwara puche gaye saare sawalon ke jawab aapke andar hi hain,par khojti aap baahar rehti hain....

bas isiliye hum dono has dete hain.....

AVANTIKA-wo isiliye kyunki jo bhi hum dekhte hain,wo wahi hota hai jo aap dono hume dikhate hain aur wo chalchtra kabhi bhi pura nahi hota.....

apne sawalon ke jawab khudhi samajhne ke baad bhi humara man ashant rehta hai aur wo isiliye kyunki jo sawal humare man me aata hai,wo bhi aap dono hi laate hai....

jaan bujhkar,jabki asal sawal wo hota hi nahi hai jiska jawab hum jaanana chahte hain...

baat kuch aur hoti hai aur jab tak hum us baat ke kareeb pahunchte hain,sawal hi badal chuka hota hai...

aise me hum karen bhi toh kya karen?????

VIKRAM- KYA aur KYUN!!!! ye do aise shabd hai jinse hokar saare jawab nikalte hain....

taklif ye hai ki aksar log KYA khojte hain..KIS,KAB KAISE ye saare shabd KYA ke hi anuyayi hain...

aisa nahi hai ki KYA ke piche jaane se jawab nahi milega....

jawab zaroor milega par wo jawab us paani ki tarah hoga jisse peene ke kuch der baad fir pyaas lagti hai....

par agar koi KYUN ke piche jaaye toh usse wo jawab milega jiske baad sawal bachta hi nahi....

ASMODEUS- aap dono ke sawal bhi KYA ki shreni me aate hain....ek jawab mila nahi ki dusra man me ghar kar jaata hai.....

abhi ka hi dekh lijiye....WAQT AA HI GAYA....ye baat toh hum sabhi ko pata hai fir bhi ek sawal ka roop dhar aap sabke mooh se ye nikla..

hum dono ko hi aapke saare sawal pata hain aur uske jawab bhi...par pata hai,ajib kintu kamal ki baat kya hai,yahi ki aap dono ko bhi saare jawabo ke baare me gyat hai kintu aap dono ab bhi KYA ki shreni me hi atki hui hain....

aapke sawalon ke bheetar ke sawal bhi ussi shreni me ghum rahe hain....aur jab tak aisa hoga,tak tak aap dono vyakul hi rahengi....

VIKRAM- aur khaas kar ab jab wo samay jisse aap dono dar rahi hain,wo aa chuka hai....

KYA HOGA,KAISE HOGA iss chinta ko tyag KYUN HOGA, sirf ispar dhyan kendrit karo,tabhi man shant hoga.....

VIKRAM ki baat sun AVANTIKA aur ALESENDRA dono ek thandi saans chhodte hain jisse dekh VIKRAM aur ASMODEUS dono firse muskura uththe hain....

par isbaar dono ko muskurate dekh AVANTIKA aur ALESENDRA chidhte nahi,balki wo dono bhi muskura dete hain....

AVANTIKA- sawalon ke jawab toh ab bhi nahi mile par itna yakin hai ki agar aap dono ne ye kahani likhi hai toh sab thik hi hoga.....

VIKRAM- yahi toh khel ka asli bhaag hai...hum dono sirf khel ki rachna kar rahe hain,khelna aur jeetna,ye KHILADI ka kaam bhi hai aur kartavya bhi...

ASMODEUS- ab bas dekhna ye hai,ki humari LAKHON saalon ko mehnat ka anjaam kya hoga????!!!!!!

SHURU KAREN??????


haath badhate hue ASMODEUS ne ye sawal kiya jispar ek ke baad ek dusre ka haath thaamte hue baaki teeno ne muskurate hue sehmati di..

VIKRAM, AVANTIKA, ASMODEUS aur ALESENDRA chaaron ne ek dusre ka haath thaama hua tha par isse pehle ki khel prarambh hota...........

HEAVEN ek tez prakash se naha gaya......

aur aisa hote hi wo chaaron apne apne ghutno par aa gaye.....

ab woh toh aana hi tha,ye tez prakash aur koi nahi GOD the....


GOD-jiske liye yojna banakar tum dono ne lakhon varshon tak usse dheere dheere aakar diya,wo shan aakhir aa hi gaya putro.....

VIKRAM-ji FATHER...aur saath hi wo shan bhi aa chuka hai jab humare yojna ke sabse bade vyavadhan ka hal aap hume denge.....

GOD-ussi karya hetu hum yahan hain....par usse pehle tum sabko ek aise satya se awgat hona padega jisse ab tak tum sab anbhigya ho....

kintu ab waqt aa gaya hai ki tumhare yojna ke mukhya pardapran ke saath hi us sach ko bhi saamne laaya jaaye......


SACH.........JO CHHUPPA HUA HAI....WO BHI LORD OF ANGEL AUR CREATURE OF JUDGEMENT SE......


ye koi choti baat toh ho nahi sakti...aur isiliye GOD ki ye baat sunte hi unke saamne ghutno par baithe chaaron ke maathon par pareshani ke bal dikhne lage.....

aur fir jaise hi GOD ne us chhupe hue sach se parda hataya, VIKRAM, AVANTIKA, ASMODEUS aur ALESENDRA ki aankhen fail gayi....

hazaron vichar un sabke dimag me aane jaane lage.....

par isse pehle ki unke labon se koi sawal nikalta,GOD ne apni baat aage badhayi jisse sunte sunte chaaron ke vichlit hriday shaant hone lage.......


GOD-aur yahi hai tumhare vyavadhan ka samadhan.....kintu smaran rahe ki samay ka dhyan rakhna anivarya hai....


ye bol GOD se faili roshni gayab ho gayi......

GOD ke jaane ke baad bhi kuch der tak sab chup hi rahe....par ye chuppi do alag alag hisso me bati hui thi....

ek chuppi AVANTIKA aur ALESENDRA ke thi jo ab bhi GOD ki baaton aur unke tarkon ko hazam karne me lage hue the wahin dusri chuppi VIKRAM aur ASMODEUS ki thi jo ek dusre ke mastishk se jud is naye sach ko apne yojna se jodne me lage hue the..

kuch der tak aisa hi raha par fir jahan ek taraf AVANTIKA aur ALESENDRA apni soch se baahar aayi wahin VIKRAM aur ASMODEUS ne bhi apna kaam kar diya tha.....


VIKRAM-taiyar ho......


muskurate hue VIKRAM ne AVANTIKA se pucha jispar usne bhi muskurate hue apni sahamati di....

ALESENDRA aur ASMODEUS bhi muskura hi rahe the.....

fir chaaron ne apni apni aakhen band kar ek jagah haath rakha aur.......


PRAKATI BHAVATI......

APPEAR.......


spell ke uccharit hote hi ek tez roshni ubhri aur aage badhte hue un chaaron ke saamne aakar ruk gayi...

us roshni ko dekh chaaron ke chehre par muskurahat tair gayi...

kuch der tak us roshni ko dekh chaaron ne apne haath failaye aur......


SAMAVAHARATI......

GATHER......


aur jaise hi ye SPELL uccharit hua, pura bramhaand hil gaya........

har grah par tez baarish hone lagi....baadal aise garazne lage maano iske baad fir kabhi na garjenge.....

kuch der tak aisa hota raha aur fir achanak sab normal ho gaya...


PRASARATI......

PROCEED.......




PLANET -EARTH



PLACE -HOIA FOREST




US DISHA ME.......



ek saath kuch logon ke mukh se ye bat nikli aur uske saath hi wo sab apni batayi disha ji taraf badh chale.....

ye kuch log hai kaun!!!!!ye toh baad me pata chalega par ye jis disha par jaa rahe hain,wahan jaane ka kaaran aayiye jaan lete hain....


5 MINUTE PEHLE:-



HOIA FOREST...... ROMANIA ke shahar CLUJ NAPOCA ke west me sthith ek FOREST......

barf ki chaadar odhe ye jungle raat me bhi haki halki ujiyale bikhere rehta hai.....

din me jitna khubsurat yahan ka nazara hota hai,raat utni hi darawani dikhti hai....

aaj bhi yahan ka aalam hamesha jaisa hi tha..sunsaan,sard aur khamosh raat...ye sab aisa hi rehta ki tabhi........

vayu mandal ko cheerti hui ek choti par behad tez roshni HOIA FOREST ki taraf aane lagi...us chote daayre me simti roshni ki ugrata itni zyada thi ki jaise jaise wo HOEA FOREST ke sameep aa rahi thi,waise waise pura ka pura forest kaampne laga tha...

wo toh shukr hai ki us roshni ke chaaron taraf ek ghera jo koi shield ki tarah dikh raha tha,us urja ko samete hua tha warna toh puri prithvi bhi us roshni ke urja ko jhel nahi pati...

pure jungle ko jhanjodte hue wo roshni ka gola neeche girta aaya par isse pehle ki wo HOEA FOREST ki barfili zameen ko chuta,wo gola zameen se kuch upar hawa me ruk gaya....

kuch der yunhi hawa me ruke rehne ke baad wo roshni ka gola dheere dheere niche zameen par aa gaya par tabhi......


zameen ke sampark me aate hi ek baar phir se us roshni ke gole me ugrata aa gayi...

pura jungle ek baar firse kaampne laga....aisa lag raha tha maano kuch der agar aur aisa chalta raha toh pura jungle dharti ki garv me sama jaayega par isse pehle ki kuch aisa hota........


us roshni ke gole ke kono se kuch urja chitak kar kuch door jaa giri aur agle hi pal.......

arre ye kya!!!!!!!us door chitki urja ne ek roop lena shuru kar diya aur dekhte hi dekhte usne ek ajeeb se jaanwar ka roop le liya.....

roshni se nahaya hua ek vishalkaaya jaanwar.....

par is beech us urja ki wajah se jungle me kampan barkarar thi aur ussi ki wajah se jungle ke kaafi ped bhi ab tak gir chuke the....

wahin roop lete hi wo roshni roopa jaanwar aage badha aur apne shroth arthath us urja ke saamne jhuk gaya....

kuch shan jhuke rehne ke paschath us jaanwar ne apne sar ka sparsh us urja se kiya aur aisa hote hi.....

jungle ki kampan band ho gayi....wahin wo jaanwar ek tak apne saamne ke urja ko dekhne laga maano us shakti ko mehsoos kar raha ho......

wahin in sab se thodi door jungle ke dusre bhaag me kuch log jo chupchaap ek jagah khade the,unhone bhi jungle me uth rahe kampan ko mehsoos kiya...

par kampan pure jungle me ho rahi thi jis wajah se unko us kampan ke shroth ka pata nahi chal paa raha tha...

isiliye un sab ne apne apne haath zameen par rakhe aur aankhen band kar us urja ko mehsoos karne lage..

kuch shano me hi unhe us urja ke shroth ka pata chal gaya aur yahi wo waqt tha jab un sabke mooh se ek saath US DISHA ME nikla..

aur aisa bol wo log us roshni numa urja ke disha ki taraf badh chale bina is baat se awgat hue ki DISHA unhe EK nahi,DO dhundni thi.....

wahin dusri taraf ek tak us urja me lipti roshni ko niharte jaanwar ko bhi kisike aane ka aabhas hua aur aisa hote hi ek baar firse usne us roshni ko chhua aur wo gayab ho gaya.....

uske gayab hote hi barf ko dabate hue kuch kadam us jagah pahunche jahan wo roshni numa urja chamak rahi thi...

par arreeee.....ye kya!!!!!wo roshni dheere dheere kam hone lagi thi aur aisa hote hi...........

quannnnnnnn.................


us sunsaan jagah par ek bache ki tez rone ki awaaz gunj uthi jisse sun wo kadam jo ussi taraf badh rahe the,unki raftar aur tez ho gaye....

kuch hi palon me wo log us bache ke saame the aur ektak uski taraf dekh rahe the.....

doodh me kesar mishrit kar diya gaya ho,waisa rang liye ek bacha us thand bhari raat me ro raha tha...

waise toh bacche rote hi hain,par is bacche ka rona sadharan nahi tha....

kyun?????aayiye jaan lete hain...


wo roshni jo abktak bache ko khudme chupaye hue thi,wo baaki jagahon se toh kam ho gayi.....par ab bhi apne tez urja ko samete us bacche ke chote se sine ke upar vidyamaan thi....

par dheere dheere wo urja bhi hawa me uth gayab hone lag thi aur yahi thi us bacche ke rone ki wajah....

jaise jaise wo roshni gayab ho rahi thi,gaadhe laal rang se kuch akshar us bacche ke sine ke upar khudko likhte chale jaa rahe the....

aur ussi se ho rahe kasht ki wajah se baccha ro raha tha.....

wahi uske saamne khade log is ajeeb chamatkar ko vismayata se dekhe jaa rahe the....

kuch shano me hi un chand akshoro ne khud ko pura kar liya aur aisa hote hi saari roshni gayab ho gayi.....

roshni ke gayab hone aur aksharo ke pura hote hi bache ka rudaan bhi kaafi badh gaya tha......

aisa lag raha tha maano us maasoom navjaat bache se kisine uski aatma chin li ho.....

is anokhe chamatkar ko ek tak dekhte rehne ke baad....


1ST PERSON- YE KAISI MAYA HAI....????


isse pehle ki koi uski baat ka koi jawab deta....


1ST-AB YE KYA HO RAHA HAI????


uski baat sun jaise hi baakiyon ne bachhe ki taraf dekha,toh wo ek baar firse shocked ho gaye...

reason........


bache ke seene ke upar jo akshar likhe ya fir ye kahun ki gude hue the,wo gayab hone lage the aur aisa hote hi us bacche ka safed rang saawla hone laga tha....

aur saath hi us bache ka rona bhi band ho gaya aur wo nidra awastha me chala gaya....

kuch hi shano me wo saare akshar gaayab ho gaye aur aisa hote hi bacche ka skin complexion bhi kaafi gehua chuka tha......

wahin uske saamne khade log kabhi is nayi maya ko samajhne ke liye kabhi us bache ki taraf dekhte toh kabhi ek dusre ki taraf....

kuch der tak yunhi khade rehne ke baad ek lambi saans chhod ussi pehle vyakti ke lab hile....


1ST PERSON-hum vyarth hi sab samajhne ka prayatn kar rahe hain....hum ye kaise bhul gaye ki is maya ke rachaita kaun hai????

LORD OF ANGEL aur saath hi
CREATURE OF JUDGEMENT......

ab unki soch ko samajhne ki shakti kisme ho sakti hai????

2ND PERSON- Satya vachan...hume bas us karya par dhyan dena chahiye jiska daayitv hume mila hai...


ye bol pehle un sab ne pehle us nanhe bache ko jhuk kar naman kiya aur fir unme se ek ne usse apni godh me utha liya...

aisa kar wo sab apni manzil ki taraf badh gaye......




ALFREEN ORPHANAGE:-




get up FLORIN.......some body's at the gate.....


lagatar kuch der tak bell bajti hi rahi toh alsayi si awaz me MARIA ne apne husband FLORIN ko uthaya....


FLORIN aur MARIA.......aaj 5 saal hue unhe ALFREEN ORPHANAGE chalate hue....

ALFREEN ORPHANAGE......ALFREEN jo in dono ki beti ka naam tha...jo ab is duniya ma nahi rahi..ek road accident me uski death ho chuki thi....

kaafi Paisa tha FLORIN aur MARIA ke paas par beti ki maut ke baad se hi un dono ne apne business ki power of attorney apne ek family friend ko dedi aur yahan HOEA FOREST ke paas apni beti ke naam se ek orphanage chalane lage.....


filhal raat ke 2 baj rahe the ki tabhi unke orphanage ke gate par lagi bell lagatar bajne lagi jiski wajah se MARIA ki neend tut gayi aur usne apne husband ko bhi utha diya...


FLORIN-ab itni raat ko kaun aaya???


check karne ke liye jab unhone monitor ke through bahar dekha toh chownke...

reason....bahar koi nahi tha...

pura area check karne ke liye camera angles ko jaise hi FLORIN ne ghumaya toh ek baar firse dono shocked hue aur turant baahar ki taraf lapke..

jab tak ye dono bahar pahunche,chaliye jaan lete hain ki in dono ke dobara chownke ki wajah kya hai????

darasal jaise hi FLORIN ne camera ke angles ko ghumaya,tab unhe wahan koi aur toh nahi dikha par gate ki side me ek tokre jaisi chiz me white chadar me lipti chiz dikh gayi jisse dekhte hi wo samajh gaye ki ye koi baccha hai...

itni kadakti thand me bas ek chaadar ke sahare toh koi vyask tak nahi reh sakta toh fir wo toh ek baccha tha aur isiliye hi wo dono turant bahar ki taraf lapke....


MARIA-how can anyone be such an asshole to leave a kid like this & that to in this weather.....!!!!


baahar aate hi MARIA ne lapakar bacche ko utha liya jo ab bhi so hi raha tha.....


FLORIN-this world is full of morons MARIA....leave it.....lets just take the baby inside....

wo dono andar jaane ke liye palte hi the ki tabhi FLORIN ko us tokri me jisme kuch der pehle tak wo baccha tha,ek kaagaz ki parchi dikhi jisse dekh wo ruk gaya...


MARIA- what happened????lets go......

FLORIN-just a sec...


ye bol FLORIN ne us kaagaz ki parchi ko uthaya aur jaise hi usne usse khola,toh ek baar phir se chownk gaya jisse uski wife ne bhi dekha....

MARIA-kya hua???chownke kyun???kya likha hai isme???bache ke parents ki info hai kya????

FLORIN-nahi..bas bacche ka naam hai....

MARIA- toh isme chownke ki kya zaroorat hai...???


ye bol jaise hi MARIA ne FLORIN ke haath se us kaagaz ki parchi ko lekar usme likha naam dekha toh wo bhi shocked hi gayi....


MARIA- ye kaisa naam hai?????

....................RAAZ.....................
 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI GOD NE AAKAR VIKRAM, ASMODEUS, ALESENDRA AUR AVANTIKA KE SAAMNE EK CHHUPAYA HUA RAAZ KHOLA WAHIN FINALLY KAHANI KE MUKHYA PAATRA RAAZ KA JANM HO CHUKA HAI....


AB AAGE-



UPDATE-2



PLANET-EARTH


PLACE-ALFREEN ORPHANAGE



AAHHHH.....MASTER...IT HURTS..........


apne left arm ko pakadta hua ek ladka piche hathta hua bola.....


subah ka waqt tha...orphanage ke piche ek chota sa maidan tha,jahan FLORIN kuch bacchon ko ancient fighting techniques ke daaw pech sikha rahe the.....

waise toh FLORIN 50 cross kar chuke the but aaj bhi kaafi fit the...ye kehna galat nahi hoga ki wo kisi naujawan ko bhi araam se complex de den.....

aur iska main reason tha unka apni life ko lekar strict discipline...saath hi wo kayi prachin yudh kalaon me bhi parangat the...

aisi kalayen jo ab ya toh vilupt ho chuki hai ya fir unhe aasan kar naye techniques ka ijaad kiya jaa chuka hai....

PANKRATION,KAPU KUIALUA,BOKATOR aur aise hi najaane kitne hi ancient fighting techniques me maahir hain FLORIN....

aur isiliye unka naam kaafi vikhyat bhi hai...kisi waqt FLORIN apne desh ki army me the...apne hunar ,vivek aur housle ki wajah se kaafi kam waqt me hi unhe FIELD MARSHAL ki designation mil chuki thi....

sab kuch sahi tha.....aisi koi jung nahi thi jisme unhone jeet haasil naa ki ho....

par fir aaya wo manhoos din jis din unhone apni pehli jung haari...

aur wo haar bhi aisi thi jisne unki zindagi hi palat di....unki jawan aur unke mutabik unse bhi zyada talented beti ki ek accident me mout....

aur is haadse ne unhe andar tak tod daala...

beintaha taklif se toh unki biwi MARIA bhi guzri thi par wo kehte hain naa,ki ek beti se sabse zyada pyar uske pita karte hain,wahi haal ya ye kahun ki wahi sach yahan bhi tha....

bahar se khudko sakht dikhate hue unhone apni patni ko toh sambhala par aisa koi naa tha jo is andar se tootathe insaan ko sambhal sake...

us haadse ke kuch waqt baad hi unhone army se early retirement le li.....

waise bhi wo khaandaani rahis the...kaafi business the unke jo unki patni sambhalti thi but apni eklouti bacchi ko khone ke baad MARIA ka bhi har chiz se dil uth chuka tha...

power of attorney apne friend ko dene ke baad dono ne yahan CLUJ NAPOCA me ek ORPHANAGE khola aur ab anath baccho ke gum ko khushi me badalkar apne gum ko kam karne ki koshish karte rehte hain....


khair,apne in ancient fight techniques ki knowledge ki wajah se FLORIN kaafi vikhyat hain aur wo bhi sirf CLUJ NAPOCA me hi nahi balki puri ROMANIA me....

kaafi universities se unhe in kalaon ko sikhane ke offers aate rehte the but unhone uske liye saaf mana kar rakha tha...

par phir bhi unke sheher ke kaafi youngsters unse sikhne ki request karte rehte the...

isiliye FLORIN bas shoukiya taur par waqt kaatne ke liye kuch bacchon ko in saare gur ke kuch daav pech sikhate the....

is waqt bhi FLORIN bacchon ko KAPU KUIALUA naam ki technique sikha rahe the.....


KAPU KUIALUA.....ye ek ancient Hawaiian fighting technique hai jisme apne opponent ke pressure points ko manipulate kiya jaata hai..

bone breaking kar knock down karna iska ehem hissa hota hai....

aur issise bachne ke liye fighters apne saare sharir ke baal wax kar uspar tel malte hain taaki opponents ke liye pressure points ko push karne me mushkil ho....

FLORIN ke saamne khade unke student ne bhi apni body par kaafi tel mal liya tha taaki FLORIN sir uske pressure points naa daba paayen par ye sirf uski galat fehmi saabit hui.....

attack karne ke liye jaise hi usne apna haath ghumaya, FLORIN ne badi asani se uske kalayi ko halka sa jhatka diya aur jaise hi uska haath halka sidha hua,unhone uske left arm ke pressure point ko halka daba diya jisse uske sharir me dard aur jhurjhuri ki ek leher daud gayi aur issi wajah se uske mooh se dard bhari karaah nikal gayi.....


FLORIN-what happened son????u didn't anticipated that,right?????


muskurate hue FLORIN ne pucha toh saamne khade kuch bacche jo ye sab dekh rahe the,wo has pade wahin unke saamne khada wo baccha jiske arms ko abhi abhi jhatka laga tha,wo waise hi kuch der tak apne haath ko jhatakta raha,fir jab pain kuch kam hua toh.....


(ROLE NAHI HAI INME SE KISI BHI STUDENT KA ZYADA ISILIYE NAAM NAHI LIKH RAHA)


LADKA-master,jhatka dheere bhi toh de sakte the....that was quite hard.....

FLORIN-hard???really????jis technique ko tum sikhne ki koshish kar rahe ho,usme sidhe haddiyan toothati hai...

tumhe toh bas ek halka sa jhatka hi laga hai....agar tum isse nahi jhel paaye toh aage kuch bhi sikh nahi sakoge...

kyunki fight me maarna sikhne se zyada important hota hai maar sehna sikhna...

jitna zyada sahoge,utna zyada concentrate kar paaoge...aur jitna pakka concentration,utna strong technique...

got it.......

LADKA-got it master........

BACCHON PAR ZOR AAZMANA HO GAYA HO TOH BREAKFAST KAR LEN....


abhi koi aur kuch kehta,usse pehle hi MARIA ki awaaz aayi jo FLORIN ke piche se chalti hui unki taraf aa rahi thi.....


FLORIN- 27 saal ho gaye humari shaadi ko par ab tak tum apna sense of humour tak thik nahi kar paayi...

MARIA-kya karen,sangat ka asar hai.....

FLORIN-darling humare sangat me toh logon ke sangeet nikal jaate hain.

bus ek aap hi hain jinke sur bigde hi rehte hain....

MARIA-ab kiska sense of humour kharab ho raha hai???

FLORIN-kya karen??? sangat ka asar hai.....


FLORIN ki baat par wo aur MARIA has diye...haste hue MARIA ki nazar kuch aage padi toh usne dekha ki saare bache un dono ki bat sun muskura rahe the...

yunhi nazar ghumati hui MARIA ki nazarein ek jagah atki aur.......


MARIA-ye wahan hai...aur mai usse dormitories se lekar pray hall tak dhund aayi....

FLORIN-kiski baat kar rahi ho....????

MARIA-khud hi dekh lo....aapka favourite puzzle.......


maria ne ek taraf ishara karte hue kaha aur jab FLORIN ne us taraf dekha toh wo bhi miskura diye....


FLORIN-RAAZ.........

MARIA-yup....RAAZ......

FLORIN-iska toh naam tak ek puzzle hai....RAAZ.....aisa naam bhi bhala koi rakhta hai....

MARIA-7 saal ho gaye us raat ko jab hume ye mila tha...waqt toh aage badh gaya par ye ab bhi waisa hi hai....


RAAZ ki taraf dekhte hue khoyi hui si MARIA boli....


FLORIN-umr ke saath sirf iska sharir badla hai,aur kuch nahi....

MARIA-wakayi????


MARIA ke sawal me chuppi baat ka jawab FLORIN ke pass nahi tha isiliye wo chup hi rahe...

duniya dekhi thi MARIA aur FLORIN ne...dono hi kaafi sharp mind ke dhani the par fir bhi ek saath saal ka baccha un dono ke samajh se baahar tha...

RAAZ.....ek normal hokar bhi abnormal baccha...aur wo isiliye kyunki normal hone ke koi gun isme nahi the ya fir ye kahun ki ye khud hi apni normal side chhupaye hua tha....

ek dabe rang liye saawnla aur patla sa baccha... par ajeeb ye sab nahi balki iska ATTITUDE tha....

naa hi ye kabhi padhta tha aur naahi khel kud me iski koi ruchi thi...

curricular activities se toh iska door door tak koi naata hi nahi tha....

wo toh uske paas filhal koi option tha nahi isiliye usse school jaana padta tha...

naa hi isse kisi se baat karna pasand tha aur naahi apni problems tak kisi se share karna...

par sabse ajeeb iski aankhen aur iske chere ke bhaav....

iski aankhon me hamesha ek khamoshi dikhti thi maano unhe kisi se koi lena dena hi naa ho aur wahin usme chehre par naa toh kabhi khushi ubharti thi aur naahi kabhi koi gum...

abhi kuch hi mahino pehle ki baat hai...uske hi anath ashram ke bachi ke dil me chhed tha...

waise toh chhed pehle se hi tha but doctors ne ek samay ke baad hi transplant ki salah di thi par wo waqt aata usse pehle hi wo chhed expand ho gaya jisse bacchi ki mout ho gayi....

orphanage ke saare bacche, FLORIN aur MARIA sabhi is haadse se kaafi aahat hue,roye siwaay RAAZ ke...uska chehra tab bhi waisa hi tha..bhaav rahit...

us bachi ki body ko bas kuch pal tak usne dekha aur phir ussi ped ki taraf chal pada jahan wo abhi baitha tha....

do hi thikane the uske.. pehla wo black locust tree jo unke orphanage ke aakhri chhor par tha aur dusra unke orphanage ke baahar base ek lake ka kinara...

normally wo school ke baad hi us ped ke pass jaata tha but aaj subah subah ki chala gaya tha aur isiliye hi MARIA usse andar dhund rahi thi....


FLORIN-ab late nahi ho raha!!!!


MARIA jo ek tak RAAZ ki taraf dekh rahi thi,aur saath hi uske chehre ke expressions change hote jaa rahe the,jo FLORIN ne dekh liya...

wo samajh gaye ki ghum fir kar MARIA unse 2 saal pehle ki baat phirse puchegi jo RAAZ ko dekhkar unke zehen me har baar uththi hai...

waise same sawal toh FLORIN ke man me bhi har baar uththa hai but wo zaahir nahi karte....

but RAAZ ko dekhte hi MARIA wahi sawal jiska jawab unke paas hai hi nahi,puchti ya fir sahi maayne me kaha jaaye toh discuss karne lag jaati hai isiliye FLORIN ne baat shuru hone se pehle hi ghuma diya tha....


MARIA-oh shit....mai bhi naa,is ladke ke chakkar me har baar late ho jaati hun...

baaki bacche already dining hall me baithe hain bus inhi ke chakkar me kisi ka breakfast nahi hua...

lagta hai aaj sabhi bacche school ke liye late ho jaayenge.....


ALFREEN ORPHANAGE ka study aur food rule hostel ki tarah tha...

yahan ek bada sa dining hall hai jahan saare bache saath khate bhi hain aur raat ko study bhi karte hain...


MARIA-beta,aap zara jaakar us bacche ko bula laaoge....


wahan khade ek bacche ko RAAZ ki taraf point karte hue MARIA ne kaha...

ye aur ek baat thi jo MARIA aur RAAZ ke beech thi.... MARIA zyada tar RAAZ se sidhe baat karna avoid karti thi....

ek ajeeb sa dar lagta tha usse raaz ki suni aankhon me dekh kar....

isiliye abhi bhi khud naa jaakar usne ek bachhe ko uske pass bheja tha...

but MARIA aur FLORIN ab bhi wahin khade the...reason....bulane par bhi agar RAAZ MARIA aur FLORIN ko wahan nahi dekhta toh wo wahan se nahi hathta...school jaana jo nahi pasand tha sir ko....

khair,baccha bhaagta hua RAAZ ki taraf gaya aur.....


BACCHA-hey RAAZ....MARIA MA'AM IS CALLING YOU.....


us baache ki baat sun jab RAAZ palta toh dekha ki MARIA aur FLORIN usse hi dekh rahe hain....

bina kuch kahe wo chup chaap utha aur ORPHANAGE ki building ki taraf chal pada.....

wahin apni taraf usse aata dekh MARIA ke mooh se har baar waala sawal ek baar fir se nikal hi gaya....


MARIA-kya wakayi isne wo sab kiya hoga?????


FLORIN jo abhi RAAZ ki taraf dekh rahe the, MARIA ke sawal ko sunkar unhone kuch kaha toh nahi bas ek lambi saans chhodi maano keh rahe ho ki dimag toh haan kehta hai but dil nahi maanta...


RAAZ ki taraf dekh jo ki unki taraf hi aa raha tha,dono hi do saal piche chale gaye....



2 YEARS BACK:-



HI BETA.....HOW ARE YOU????


ek aadmi aur ek aurat jo is samay ALFREEN ORPHANAGE ke office me baithe hue the,unhone RAAZ ko greet kiya but wahi hua jo hona tha...

RAAZ ne un dono ko bas ek pal ke liye dekha,aur fir nazaren hata FLORIN aur MARIA ki taraf dekhne laga....


FLORIN-sorry but wo kya hai naa,ye jaldi se kisi se baat nahi karta....

AADMI-u don't have to say sorry...waise bhi acha hi hai jo ye reserve hai....har kisi se baat karna bhi toh sahi nahi....


us aadmi ki baat sun pehle toh MARIA aur FLORIN muskuraye aur fir....


FLORIN-RAAZ.....they are mr & mrs GLOE. they are your new foster parents...ye tumhe adobt karna chahte hain...!!!

RAAZ-mera bag packed hi hai...mai baahar hun..jab bhi jaana ho,bahar aa jaayiyega....


short but sore.....itna hi nikla RAAZ ke mooh se aur fir bina kisi ka reaction dekhe wo baahar nikal gaya.....


wahi RAAZ ki baat kisi ko samajh me aaye usse pehle hi wo baahar nikal gaya tha....

MARIA-sorry mr and mrs GLOE... he's kinda weird kiddo.....

MRS GLOE-bacche toh thode weird hote hi hain... nothing to be sorry about..and yes we are sure on adopting him...

you guyz dont have ti worry about a thing..hum uska acche se khayal rakhenge....

FLORIN-oh we are quite sure about that...aur waise bhi, RAAZ itne ache ghar me jaa raha hai,ye dekhkar hi hum kaafi khush hain...


FLORIN ki baat sun mr and mrs GLOE ke chehre par ek smile aa gayi....


mr and mrs GLOE.....kaafi malls, shopping complexes hai inke pure ROMANIA me....

donations dene ke liye bhi ye Dono kaafi mashhoor hain..but ek loop hole hai......

donations wagairah ye sirf show off ke liye karte hain...lime light ka nasha hai inhe..jo bhi karte hain,dikhawe ke liye karte hain...

yahan tak ki aaj jo ye adoption ke liye aaye hain,ye bhi ek dikhawa hi hai....

pichle mahine hi inhone local news channel ko kaha tha ki waise toh inka khud ka ek baccha hai,but fir bhi ye ek bacche ko adopt karna chahte hain...

aur issi bich inhe inke apne bacche ne RAAZ ke baare me bataya,jo ussi ke school me 1st standerd me tha but apne weird behaviour ki wajah se usse sab hi jaante the....

jab mr and mrs GLOE ke bacche ne unhe bataya ki RAAZ ek anath hai aur kaise sabko RAAZ ek burden lagta toh is soch ke ulat mr and mrs GLOE ko ye ek opportunity lagi,ek baar fir se khudko mahaan dikhane ki......

dono ne hi RAAZ ko adopt karne ki sochi..ye baat unke bacche ko bilkul achi nahi lagi but Mr and Mrs GLOE ne ispar itna dhyan nahi diya and here they are to adopt RAAZ....

formalities pura kar jab sab baahar aaye toh unhone dekha ki RAAZ apna bag pakde khada hai...


MR GLOE-lao beta,bag mujhe de do....


but RAAZ bina react kiya baahar ki taraf nikal gaye...

is baar uski harkat mr and Mrs GLOE ko khatki but un dono ne show nahi kiya....


MR GLOE-ok then,we will take a leave....


FLORIN aur MARIA se haath mila wo dono bhi RAAZ ke piche piche chal diye...

Mr and Mrs GLOE ne pehle hi apne sources ke through media me ye khabar leak karwa di thi ki apne promise ko pura karte hue unhone ek bacche ko godh le liya hai...

aur jaise hi unki car unke ghar ke gate ke saamne pahunchi toh mr and mrs GLOE car se utar kar baahar aaye aur pehle se wahan moujud kuch media ke bando se interact kiya....


MR GLOE-hey guyzz. what's up???

MEDIA-so as promised,u have adopted....

MRS GLOE- well you know us...we never back down from our words... specially when the cause is so divine...

MEDIA-can we see the kid....

MR GLOE-ofcourse you can... RAAZ son... come out....


RAAZ ji chupchaap aankhen band kiya andar baitha hua tha, mr GLOE ki awaaz sun car se baahar aaya....

aur aisa hote hi....


MEDIA-RAAZ.....unique name...by the way how are you feeling????must be feeling proud to be called the son of such nice people....

what do u say about your new mom and dad???


us media ke bande ne RAAZ pe ek saath kayi sawal daag diye..wahin media waale ke sawal ko sun mr GLOE ko laga ki RAAZ kuch kehne waala nahi isiliye wo kuch kehne waale hi the ki tabhi unhe ek jhatka laga...

sirf unhe hi nahi balk unki patni ko bhi...reason....

media ke us bande ke sawal par RAAZ ke honth hile aur unme se sirf do words nikle...


RAAZ-FAKE MORONS.....


itna bol RAAZ paidal hi gate se hota hua andar ki taraf chal pada...

aur piche chhod gaya shock me khade media waale aur unse bhi zyada shocked aur confused mr and Mrs GLOE......

MR GLOE-will u excuse us???


ye bol bina reactions dekhe wo dono car me baith gaye aur agle hi pal car gate ke andar jaa chuki thi....

wahin ghar andar pahunch RAAZ hall me rakhe sofe par jaakar baith gaya....

kuch der baad mr and Mrs GLOE bhi wahan pahunche..aur jaise hi un dono ne RAAZ ko dekha toh unhe ghussa aa gaya....

MR GLOE ghusse se uski taraf badhe hi the ki


MRS GLOE-araam se..abhi abhi isse adopt kiya hai....so take it easy....

mrs GLOE ki baat sun khudko thoda shaant kar wo RAAZ ke saamne pahunche aur....

MR GLOE-what was that RAAZ???is that u say something about your parents....


RAAZ-SACH KISI BHI RISHTE SE BADA HOTA HAI.........


bas itna hi nikla RAAZ ke mooh se...side corner me ek room khula hua tha,jiske andar ghar ki maid saaf safayi kar rahi thi..

assuming ki ye ussika room hai, RAAZ us taraf chal pada....

wahin Mr and Mrs GLOE toh RAAZ ke jawab ko sunkar ki shocked ho gaye the...

RAAZ kab utha aur kab us room ki taraf chal pada,unhe is baat ka hosh hi nahi raha aur shayad aage bhi naa rehta par achanak....


BHAAADDDDD.............


jis room me RAAZ ghussa tha,us room ka darwaza zor ki awaaz se khula aur RAAZ chitakte hue baahar aakar gira....

awaaz sun Mr and Mrs GLOE apne trance se baahar aaye aur jab unhone awaaz ki taraf dekha toh paaya ki RAAZ niche floor par gira hua hai aur saamne ke room se ghusse me unka beta RAAZ ki taraf aa raha hai....

Mr and Mrs GLOE turant RAAZ ki taraf lapke par usse pehle hi unka beta RAAZ tak pahunch chuka tha aur saath hi usse utha kar.....

CHATAAKKK..CHATAAKK....do thappad bhi wo RAAZ ko laga chuka tha.....


MRS GLOE-stop it RAVEN.....ye kya harkat hai????

RAVEN-mom u know i dont like this scumbag....fir bhi aapne isse adopt kiya...aur saale ki himmat toh dekho..ye mujhse bina puche mere hi room me ghus gaya....

MRS GLOE-arre toh usse pata nahi tha..tum araam se bhi toh usse baahar bhej sakte the....

RAVEN-oh cut the crap mom....i cant stand his ugly face....isse toh mai apna servant bhi naa rakhun aur aap isse mera bhai banana chahte ho....

i will not allow this... aap logon ko jo karna hai karo bas isse mujhse door rakho...

aur tu,dobara mujhe apni shakal mat dikhana...aur school me kisi ko agar tune bataya ki tujhe mere mom dad ne adopt kiya hai toh tere liya accha nahi hoga...


ye bol RAVEN ne RAAZ ko ek ghusse waala look diya aur wapas apne room chala gaya...

is beech Mr GLOE chup hi rahe..reason....kuch der pehle RAAZ ke mooh se nikli baatein..

pehli media waalon ke saamne aur dusri hall me....unhe laga ki jo RAVEN ne kiya wo RAAZ ke liye ek sabak hai aur ab ainda se wo aisa kuch bhi nahi karega....

wahin in sab ke beech abhi abhi hue haadse ka shikar RAAZ ab bhi yunhi shaant khada tha...without expression.....


MRS GLOE-jo hua uske liye sorry RAAZ... par tumhe hi yun humse bina puche us room me nahi ghusna tha..tumhara room upar hai... maid tumhe wo dikha degi...


Mrs GLOE ne ek maid ko bulakar usse RAAZ ko uska room lejaane ke liye kaha...

RAAZ maid ke piche piche first floor ki taraf chal pada..wahin RAAZ ke jaane ke baad.....


MRS GLOE-tumne kuch nahi kaha????

MR GLOE-kya kahun???infact kyun kahun???he deserved what he got...ab kuch utla sidha bolne se pehle hazar baar sochega....

MRS GLOE-u r right.....khair,jo hua so hua..waise tumhe yaad hai naa ki aaj shaam hume ek party me jaana hai...

MR GLOE-yaad hai..laga tha is RAAZ ko saath le chalenge but ab nahi....hum dono hi chalte hain...

MRS GLOE-hmm.yahi thik rahega...chalo.. let's freshen up.....


baat khatm kar dono apne room ki taraf chal pade....



EVENING TIME:-


RAVEN........


party ke liye ready hokar mr and mrs GLOE apne room se nikle aur nikalte hi Mrs GLOE ne apne bete ko awaaz lagayi....


RAVEN-yes mom....

MRS GLOE-beta are you sure tum party me nahi jaaoge....

RAVEN-no mom..mera mood nahi hai...

MRS GLOE-all right then.time se dinner kar lena and most importantly RAAZ pe aur haath mat uthana...

RAVEN-mom,i don't give a shit about him....usse keh do ki mere aas paas dikhayi bhi naa de or else I'll loose my control....

MRS GLOE-dont worry..he will not bother u...but tum khudse usse pinch mat karna... okay???

RAVEN-all right mom...

MRS GLOE-good boy..bye beta...

RAVEN-buy mom..buy dad....


RAVEN apne room ki taraf chal diya wahin uske mom dad party ke liye nikal gaye.....



2 HOURS LATER:-


knock knock.........


RAVEN ke door par knock hua aur jaise hi usne darwaza khola....


RAVEN-tu......................


MRS GLOE-hello...WHATTTT?????we are coming.....


Mrs GLOE jo party me kuch ladies ke saath baat kar rahi thi....achanak unka mobile baja aur jaise hi unhone usse pick kiya....

saamne se kuch kaha gaya jisse sun unke hosh hi ud gaye... phone kaat wo turant apne husband ke pas pahunchi aur unke kaan me kuch kaha jisse sun unki bhi same haalat ho gayi.....

sabko kuch bahana kar wo dono turant party se nikle aur apni car me baith ghar ki taraf nikal pade.....

wahin kuch sochkar Mr GLOE ne raaste me hi FLORIN aur MARIA ko bhi apne ghar par bula liya.....

kuch hi der me mr and Mrs GLOE apne ghar pahunch chuke the....

car se utar dono bhaagte hue se hall me enter hue aur wahan pahunchte hi jo scene tha,usse dekh un dono ki haalat kharab ho gayi....

unse kuch hi door unka beta RAVEN zameen par ulta pada hua tadap raha tha.. dono haath halke ghume hue the jisse pata chal raha tha ki uske dono haath tut chuke hain...

uske saamne paalthi maarkar RAAZ baitha hua tha aur ghar ke naukar chupchaap dusri taraf khade the...

mr and Mrs GLOE ko dekh unme se ek aage aayi aur....

MAID-this boy did it..we didn't see the whole thing but i saw this boy holding RAVEN sir's hand.


unhi me se ek jisne Mrs GLOE ko call kiya tha usne ye kaha.

apne bete ki haalat dekh jahan ek taraf mrs GLOE ke aansu nikal gaye wahin Mr GLOE ghusse se bhar gaye....

wo tezi se RAAZ ki taraf badhe...mr GLOE ko apne paas aata dekh kar RAAZ bhi uth gaya...

pehle toh Mr GLOE ne RAAZ ko maarne ka socha par tabhi unhe yaad aaya ki unhone FLORIN aur MARIA ko bulaya hai isiliye apne ghusse aur jabde ko sakhti se dabate hue wo bas itna bole...

MR GLOE-did u do this???

RAAZ-may be..........

puchna toh mr GLOE ye chahte the ki RAAZ ne akhir ye kiya kaise???umr me aur pysically RAVEN RAAZ se bohot zyada bada aur taakatwar tha...

fir ye sab kaise possible hai???

par unhone apne saare sawaalon ko side rakh bas itna hi pucha..


MR GLOE-KYUN?????

RAAZ-KARM......INSAAN SABSE BHAAG SAKTA HAI PAR APNE KARM SE NAHI.....


jahan ek taraf Mrs GLOE apne bacche jo ki ab tak dard se behosh ho chuka tha,uske paas baithi ro rahi thi,wahi RAAZ ke jawab ko sun Mr GLOE ek baar fir chownke....

abhi wo kuch kehte ki usse pehle hi


FLORIN-what happened here???


MARIA aur FLORIN wahan jaise hi pahunche toh wahan ki haalat dekh chownk gaye....

wahin FLORIN ki awaaz sun Mr GLOE palte aur unhe dekh unke paas gaye aur fir jo kuch unhe bataya gaya tha,wo unhe bataya jisse sun FLORIN aur MARIA ka sar bhi ghum gaya...


FLORIN-hows this even possible???i mean RAAZ can't do it....

MR GLOE-thats what i also thought...but it's true..our maids have seen it...


mr GLOE ki baat sun aakhon me avishwas liye FLORIN aur MARIA ek dusre ko dekhne lage....


MR GLOE-listen...maine aap dono isiliye bulaya hai kyunki we cant keep RAAZ...jo hua hai usse badal toh nahi sakte but ek foster child ke liye we cant risk our own kid...

i hope u both understand.....aap isse apne saath le jaaiye.. paper work hum baad me kar lenge...


FLORIN aur MARIA toh ab bhi jo hua usse samajhne ki koshish me lage the....bina Mr GLOE ko koi jawab diye wo dono sidhe RAAZ ke saamne jaakar khade ho gaye aur...

FLORIN-did u do it????

RAAZ-kya aap mujhe wapas orphanage me lenge ya mai kahin aur chala jaaun..


bina jawab diye RAAZ ne sawal kiya jisse sun wo dono ek baar phirse ek dusre ko dekhne lage...


MRS GLOE-isse yahan se le jaao or else i will kill him...


ghusse se bhari MRS GLOE ne ye baat kahi jisse sun....


FLORIN-chalo RAAZ.....

MR GLOE-mai koi legal action nahi le raha hun...but agar dobara mere bete ko iski wajah se koi taklif hui toh mai isse chhodunga nahi....

MARIA-aisa kuch nahi hoga...aur jo hua we are really sorry about that...


itna bol MARIA, FLORIN aur RAAZ wahan se nikal gaye....aur unke piche piche mr and Mrs GLOE apne behosh bete ko car me daal hospital ki taraf nikal gaye....



FLASHBACK ENDS:-



is incident ki sacchayi jaanane ke liye RAAZ se kayi baar MARIA aur FLORIN ne sawal kiya but wo chup hi rehta....

yahi sab khade khade FLORIN aur MARIA soch rahe the aur jab un khayalon se baahar aaye toh unhone dekha ki RAAZ kabka ORPHANAGE ke andar jaa chuka hai....ek dusre ko ek baar dekh wo dono bhi andar ki taraf chal pade....

breakfast ke baad sabhi bacchon ke saath ready hokar RAAZ school ki taraf chal pada.....

school orphanage se kuch 500 mitres ki doori par hi tha isiliye saare bacche orphanage ke do guards ke saath paidal hi chale jaate the....

RAAZ ko kisi ke saath chalna bhi pasand nahi tha isiliye wo piche waale guard ke bhi piche chalta tha.....

guards bhi RAAZ ki aadat jaante the...aur kyunki wo jagah safe thi isiliye guard bhi RAAZ ko yun akele aane par bhi kuch nahi kehte the...

khair,sir niche karkar chalte hue RAAZ ke pair achanak thithke...

usne apne right ki taraf dekha toh paaya ki ek road ke side par barf se ghiri bench par ek aadmi baitha hua hai...

dekhne se hi pata chal raha tha ki uski haalat kuch thik nahi hai aur wo kaafi bhuka hai...

RAAZ ne apna bag utara aur uski andar ki chain ko khol usme haath daala..

aur jab haath baahar aaya toh usme 59 IEU the..(romania currency)

orphanage ke saare baccho ko MARIA aur FLORIN kuch pocket money bhi dete the....

apne hisse ke pure paise RAAZ jama kiya karta tha....

khair,paise pakad wo us aadmi ke paas chala gaya aur...


RAAZ-keep it...


ye bol RAAZ ne uske haath me wo 59 ieu pakdaaye aur aage badh gaya...


AADMI-thank you son...may GOD BLESS YOU....


us aadmi ki baat sun aage badh chuka RAAZ ruka,palta aur.....


RAAZ-this is not my money...aur jinka ye Paisa hai,unki sabse badi blessing,unki beti ab nahi rahi....that means even they aren't blessed...

BLESSING sirf ek shabd hai,aur kuch nahi....


bina koi bhaav ke apni baat keh RAAZ aage badh gaya aur chhod gaya piche us aadmi ko is soch ke saath ki ek 7 saal ka bacha kya kuch keh gaya.....




PLACE- HEAVEN


ADBHUDH......


VIKRAM aur ASMODEUS ke mooh se ye baat ek saath nikli....

FLORIN aur MARIA 2 saal pehle ghati ghatna ke baare me jab soch rahe the, VIKRAM, ASMODEUS, ALESENDRA aur AVANTIKA bhi us waqt ussi pal ko dobara dekh rahe the...

us waqt bhi VIKRAM aur ASMODEUS ke mookh par ek smile thi aur jab RAAZ ne us bhooke aadmi ko paise diye,tab wo muskaan aur gehri ho gayi....

wahin un dono ki patniyon ke chehre par lagatar tanaav hi dikh raha tha...

aur jab un dono ne dekha ki VIKRAM aur ASMODEUS ab bhi muskura rahe hain toh.....


AVANTIKA- RAAZ ki ugrata ko ek baar firse dekhne ke baad bhi aap dono muskura rahe hain aur aashirwaad jaise mahatvapurn bhaav ko usne nirarthak kaha,uspar aap dono adbhudh keh rahe hain....!!!!!

VIKRAM-iske alawa hum kar bhi kya sakte hain....!!!!

ALESENDRA-sawal toh ye hai ki aap dono aakhir karna chahte kya hain???

ASMODEUS-hume jo karna tha,hum pehle hi kar chuke hain..ab aap dono ki hi tarah hum bhi sirf darshak maatra hain....

AVANTIKA- RAAZ ke badalte bhaavon se aap dono vichlit nahi hote....

VIKRAM/ASMODEUS-ROSHNI AUR ANDHERA DONO KA HONA ANIVARYA HAI......BINA EK KE DUSRE KA BHI KOI MAHATVA NAHI.....

DAR KABHI KABHI DONO SE HI LAGTA HAI...PAR US DAR KO MITANE KE LIYE YE DONO APNA ROOP KABHI NAHI BADALTE...

SOCHO AGAR INHONE KHUD KO BADLA TOH KYA HOGA....???SARVANASH.....

thik waise hi jo bhi hona hai,wo toh hoga hi...par in sab me RAAZ ka jaisa dil karega,wo waisa hi banega....


KABHI ANGEL,KABHI DEVIL.....








AAJ KE LIYE ITNA HI....
 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI KAISE PAST ME RAAZ KO ADOPT KIYA JAATA HAI PAR WO WAHAN EK DIN BHI NAHI TIKTA..




AB AAGE:-




UPDATE-3



PLANET-EARTH


PLACE-LAKE OUTSIDE ORPHANAGE




KYA MAI YAHAN BAITH SAKTA HUN?????

shaam ka waqt tha or hamesha ki tarah mai orphanage ke baahar jheel ke kinare baitha hua tha...

mujhe yahan aaye kuch hi der hua tha ki tabhi mere piche se ek awaaz aayi jo ki FLORIN ki thi,jisse sun maine unhe ek baar palat kar dekha par fir wapas saamne ki taraf dekhne laga.....

aage bina aur kuch kahe FLORIN mere baaju me baith gaye....kuch der tak saamne dekhte rehne ke baad.....


FLORIN-RAAZ....kal se tumhare board exams hain....fir bhi tum yahan ho...!!!!

tumhe toh continuously padhna chahiye naa!!!!

MAI-usse kya hoga????

FLORIN-usse kya hoga matlab????tum paas ho jaaoge....

MAI-sawal toh ab bhi wahi hai...usse kya hoga???

FLORIN-beta hum jis duniya me rehte hain,wahan survive karne ke liye hume kuch na kuch karna padta hai...

aur iske liye sabse aasaan aur sahi tarika education hota hai....

MAI-ye niyam bhi toh insaano ne hi banaye hain....jisse badla bhi jaa sakta hai....

meri baat aun FLORIN muskura uthe aur...


FLORIN-bilkul...but kuch niyam ek waqt ke baad system me convert ho jaate hain...

education bhi ab koi niyam nahi balki ek system ban chuka hai..ek strong system....

aur kisi bhi system ko badalne ya unme changes laane ke liye pehle us system ke top par pahunchna padta hai...

par top me pahunchne ke liye padhna bohot zaroori hai....

RAAZ-kiske liye kya zaroori hai,ye kaun tay karega????


mere sawal par FLORIN ne kuch nahi kaha bas mujhe dekhte rahe...


RAAZ-usse kya hoga???mere is sawal ko aap samajh hi nahi paaye...

education ke faayde....iska answer toh saarvajanik hai....public hai...par maine jo pucha wo personal hai....

sabke saath include kar aapne mujhe salah di,par DNA ki hi tarah soch bhi alag alag hoti hai...

jin faaydon ko aapne ginaya,mujhe wo sab chahiye hi nahi....

FLORIN-toh fir tum life me karoge kya???tum toh koi sports ya fir kisi aur activity me bhi interest nahi dikhate...

aise toh tum apni life waste kar doge...

MAI-ALFREEN........


mere mooh se ye naam sun FLORIN chownke.....


FLORIN-kya kaha???

MAI-aapki beti.. ALFREEN.....aksar aap apne students se kehte rehte hain ki aapki beti aapse bhi talented thi..har chiz me sabse aage thi..

apne age ke sabhi bacchon se wo bohot zyada shaarp thi.....

FLORIN-toh???

MAI-toh ye ki kya haasil hua usse uske talent se....apni jaan tak toh nahi bacha paayi aapki beti....

FLORIN-RAAZZZZZZ..................


ghusse ke maare kaamp se uthe the FLORIN mera naam lete lete...

apni moothi ko zor se bheenche aankhon me dher saara ghussa liye meri taraf dekh rahe the wo....


MAI-daily dhyan me baiththe hai naa aap....isse khudke jasbaaton par,krodh par kaabu rehta hai,yahi shiksha dete hai naa aap apne students ko...

par kya faayda hua....ek simple se sach tak ko toh handle nahi kar paaye aap...


meri baat sun dheere dheere shaant hone lage FLORIN.....


MAI-kisi bhi cheez me interest naa dikhakar mujhe nuksaan ho raha hai ya fir zaroorat se zyada chizon me interest dikhakar aapki beti ka nuksaan hua aur ab aapka ho raha hai...????

FLORIN-18 saal ki umr tak tum yahan ho...uske baad kya???

agar tum acche se padhe,ya fir kisi aur activity me a+ laaye tabhi tumhe scholarship milegi warna tumhe orphanage chhodkar jaana hoga....tab kya karoge???

MAI-orphanage aapka hai...aap abhi bhi bound nahi hain mujhe rakhne ke liye....chaahe toh mai abhi hi usse chhod dunga....

other than that,you dont have to worry about a thing....


apni baat keh mai wapas ektak saamne dekhne laga....

wahi FLORIN bhi kuch der tak ektak mujhe dekhte rahe fir.....

FLORIN-dinner time se pehle aajana...


itna keh chup chaap uthkar FLORIN chale gaye...

pehli baar FLORIN aur mere beech itni der tak baat hui aur wo bhi aisi ki shayad aaj ke baad wo dobara mujhse kuch kahen hi nahi.....


MARIA-itni der kaise lagadi????

FLORIN-haan,kya????


RAAZ se jo baat hui,unhi baaton me gum FLORIN apne ghar jo ki orphanage ke boundry ke andar hi tha,enter hue jahan saamne hi MARIA baithi hui thi aur unhiki awaaz se FLORIN present me wapas aaye.....

wahin MARIA ne bhi FLORIN ke chehre ko jaise padh liya tha isiliye...


MARIA-what happened FLORIN????
kis soch me gum ho....

FLORIN-kuch nahi..wo bas aise hi...

MARIA- FLORIN????


MARIA ne FLORIN ka naam kuch aise liya maano keh rahi ho ki baat ko taalo mat...


ek lambi saans chhodte hue FLORIN MARIA ko RAAZ ke saath hui baat batate chale gaye jisse sun MARIA ke chehre par kayi expressions aane jaane lage...

khaaskar apni beti ke baare me RAAZ ki kahi baat sunkar pehle toh unhe ghussa aaya but fir aage ki baatein sunkar wo bhi FLORIN ki hi tarah shant ho gayi...


MARIA-ye baccha kya hume kabhi samajh aayega bhi yaa nahi....

FLORIN-isse important sawal ye hai ki iske future ka kya hoga???

agar iska ATTITUDE aisa hi raha toh ye life me kuch nahi kar paayega....

MARIA-ab isme hum kar bhi kya sakte hain...!!!ek proper guidence hi thi jo hum usse de sakte the but wo sune tab naa....

FLORIN-sunta wo sab hai,bas karta wahi hai jo usse sahi lagta hai....

khair chhodo,ye ladka ek aisi paheli hai,jiske baare me jitna sochenge,utna uljhenge...

mai jaakar orphanage ka ek chakkar lagakar aata hun....

MARIA-mai bhi chalti hun...


MARIA aur FLORIN orphanage ki taraf chal pade....

orphanage kaafi bada tha...jisme kaafi saare sections the...har umar ke bacchon ke rehne ke liye aur unke class ke hisab se study related materials alag alag the....

nursery se kg two tak ki dormitory alag thi...fir class 1 se class 8th tak ke liye ek alag section tha...9th to 12th tak ke bacchon ke liye thode wide area me rooms bane the....

bacchon ke dekhbhaal ke kiye orphanage me kaafi staaf the..unsab se milkar din bhar ki reports lete hue MARIA aur FLORIN aage badh rahe the....

junior aur sub Junior sections se hote hue high school section ki taraf dono badh chale...

abhi wo dono us section se guzar hi rahe the ki.....


YAAR EK BAAT SAMAJH NAHI AATI...ITNI THANDI JAGAH PAR PAIDA HONE KE BAAD BHI TU ITNA BLACK KYUN HAI????


ye ek bacche ki awaaz thi jo paas ke ek room se aa rahi thi...aur uski baaton ko sunkar MARIA aur FLORIN samajh gaye ki wo ladka RAAZ ki baat kar raha hai kyunki ek RAAZ ki hai jiska complexion dark tha....

MARIA ko ye acha nahi laga aur wo us room me jaane ko hui par FLORIN ne rok diya....

wo RAAZ ka reaction sunana chahte the....

wahin ander pehle waale ladke ki baat ka RAAZ se koi jawab nahi aaya toh....


2nd LADKA-arre yaar tu bhi naa kuch bhi bolta hai...kaale hone naa hone ka thandi jagah se kya lena dena...

ho sakta hai ki iske maa baap nigro ho isiliye ye bhi waisa hi nikla...


4,5 ladkon ka group tha andar jo us ladke ki baat sun has diye wahin mai jo apne bed par baitha tha,ab bhi chup hi tha...

par us dusre ladke ki baat sunane ke baad MARIA ruki nahi aur room me enter hui aur unke piche piche aaye FLORIN....

aur jaise hi un haste hue ladkon ki nazar FLORIN aur MARIA par padi,unki hasi rook gayi par mai waise hi chupchaap baitha hua tha...


MARIA-ye toh guess kar liya tumne ki RAAZ ke mom dad nigro ho sakte hain but khudka kya???

apne mom dad ke baare me kya khayal hai tum sabke????kaise honge wo mom dad jinke genes se tum jaise bacche nikle....


MARIA ki baat sun sabhi ladkon ke sir jhuk gaye...


MARIA-kya hua,bura laga!!!!jaise tumhe bura lagta hai,dusron ko bhi toh lagta hai naa...

yahan par tum sab ek jaise hi ho...tumhe nahi lagta ki tum sabme unity honi chahiye...yun kisika mazak udaakar kya saabit hoga???

dobara aisa kuch kabhi bhi nahi hona chahiye...is that understood????

SAB-yes ma'am....

MARIA-then say sorry to RAAZ...

SAB-sorry RAAZ....

MAI-sorry for what???sach agar negetive ho toh kya wo jhuth me badal jaata hai...

ab mai hun kaala aur tum sabne wahi kaha....isme sorry kisliye....

mere batch mates ke sir toh abhi bhi jhuke hue hi the but meri baat dun MARIA aur FLORIN shocked ho gaye....


FLORIN-but RAAZ,what about the statement on your parents..???kya wo sunkar bhi tumhe bura nahi laga....

RAAZ-jo hain hi nahi,unke liye kya bura lagna....


ye bol mai room se bahar nikal gaya wahin MARIA aur FLORIN bhi kuch der tak ek dusre ko dekh wahan se nikal gaye.....




PLACE-TONGASS NATIONAL FOREST ALASKA




HOLY CRAP....... GUYZZZZ...RUN..........




dhadakte dil aur nervous expressions ke saath 4 log tezi se bhaag rahe the....

DHAKKK...DHAKKK...DHAKKK....

ye awaaz un charon ke kuch piche se aa rahi thi jo kisike bhaagne ki thi...un chaaron ke bhaagne se itni awaaz nahi nikal rahi thi,jitni ki unke piche bhaagne waale se aa rahi thi....


GUYZZZ FASTER.......



jo sabse aage tha,usne bina piche mude zor se chillakar kaha....

un chaaron me se 3 ladke the aur ek ladki....aur jo un chaaron ke piche tha wo tha ek full grown GRIZZLY BEAR.....


GRIZZLY BEAR.....considered as the biggest land mammal living today... bohot hi dangerous....

un chaaron me se ek ladka jo thoda chubby tha aur isiliye sabse piche tha,uske kaano me us GRIZZLY BEAR ke panjo ki awaaz thodi tez aane lagi...

dar ke maare usne bhaagte hue hi ek baar palat kar dekha toh uske pran hi sukh gaye...

wo GRIZZLY BEAR usse bas 40 feet
hi door tha...or tabhi...


AHHHH.....


nervousness me uske pair twist hue aur wo niche gir gaya...

uske girte hi uske aage bhaagte saathi bhi palte aur apne friend ko girte dekh uska naam chillate hue rook gaye....

wahi girne ke baad wo ladka turant ghuma aur saamne dekh uska gala hi sukh gaya...

wo GRIZZLY BEAR usse bas 15 feet hi door tha...

us ladke ko apni mout saaf dikhne lagi....upar waale ka naam lekar usne apni aankhen band kar li..

wahin uske doston bhi us GRIZZLY BEAR ko dekhkar jad se ho gaye the..unhe bhi apne friend ki mout dikhne lagi thi....

isse bich wo GRIZZLY BEAR us gire ladke ke sir ke paas pahunch chuka tha...

bhaagte hue hi usne apna bada sa mooh khol liya tha...aur jaise hi us GRIZZLY BEAR ka mooh us ladke ke paas pahuncha....


SWOOPPPPP...SWOOPPPP..........


do arrow tezi se us ladke ke kaano ke baazu se hote hue nikle aur sidhe jaakar us GRIZZLY BEAR ke aankhon me ghus gaye....

un arrows ka force itna zyada tha ki wo daityakaar BEAR piche ki taraf palat gaya....

ek second ke 100 part me hi scene change ho chuka tha....jahan ek pal pehle wo ladka marne waala tha wahin ab uska shikari wo BEAR mar chuka tha...

wo ladka jo niche gira hua tha,jab kuch pal nikalne ke baad bhi usse kuch nahi hua toh usne apni aakhen kholi aur khudko safe dekh usse shock laga par usse bada jhatka usse apne saamne dekh laga jahan wo GRIZZLY BEAR mara pada tha...

us bande se zyada shocked uske wo 3 dost the jo aakhen faade abhi ke situation ko samajhne me lage the...

jab ye sab ho raha tha tab wo teeno sab kuch dekh rahe the but kab arrows aaye,kab us BEAR ko lage aur kab wo mar gaya,unme se kisi ne bhi nahi dekha tha ya fir ye kahun,dekh nahi paaya tha......

wahin wo ladka jo niche zamin par tha,utha aur....


1ladka-guyzzz..... come,see this...its unbelievable........


mare hue GRIZZLY BEAR ke pass jakar usne jab awaaz lagai tab kahin jaakar uske teeno friends apne trance se baahar aaye aur turant unke friend ke taraf lapke....

aur jaise hi wo teeno wahan pahunche....


LADKI-holy shit.....this is insane man.....


baakiyon ka reaction bhi us ladki ki hi tarah tha...reason......jo arrows us BEAR ke aankhon me lage the,wo usse bhed aar paar ho chuke the..

un chaaron ko samajh nahi aa raha tha ki itna fiercely koi kaise arrow chala sakta hai...

wo chaaron ye soch hi rahe the ki tabhi.....


U GUYZ ARE SERIOUSLY DUMB...ABHI BHI YAHIN HO....KYA KISI DUSRE JAANWAR KA WAIT KAR RAHE HO KI WO AAYE AUR TUMHARA DINNER KARE....


ye awaaz un chaaron ke piche se aayi jisse sun wo chaaron shocked ho gaye.... shock thoda zyada tha..reason....awaaz ek ladki ki thi jo chalte hue unke paas aa rahi thi....

kandhe me kuch arrows, hath me ek bow tha,jisse pata chal raha tha ki ussine saamne pade us GRIZZLY BEAR ko mara hai....

jaise jaise wo ladki paas aa rahi thi,waise waise unke chehre ke expressions change hote jaa rahe the...

aur jaise hi wo ladki unke saamne aakar ruki,ek taraf un chaaron me jo ladki thi,wo ye dekhkar shocked ho gayi ki ek 15,16 saal ki ladki jo har taraf se maasoom si dikh rahi thi,usne itna khatarnaak arrow chalaya aur wo bhi raat me wahin teeno ladke toh us ladki ki khubsurti me hi kho chuke the...

uski khubsurti shabdon me bayan karne se kahin upar thi....nain naksh itne tikhe ki pathar bhi pighal jaaye....

din lagbhag dhal hi chuka tha..suraj ki aakhri laalima hi bas bachi thi aur ab us ladki ko dekh aisa lag raha tha ki maano bas usse hi aakhri baar dekhne ke kiye roshni bachi hui thi....

doodh sa rang,gol chehra,chehre par ek ajeeb si shanti liye wo un chaaron ko dekh rahi thi....

jungle me use hone waale flexible kapde pehen rakha tha usne...kuch der tak jab unme se kisine kuch nahi kaha toh...

LADKI-ghurna ho gaya ho toh niklo yahan se.... bohot se jaanwar hai is jagah par..mai nahi chahti ki tumhare chakkar me un maasumo ko taklif ho...


bas is awaaz ki hi kami thi....bina maare hi maar diya tha uski awaaz ne un teen ladko ko....


LADKI 1-excuse me....maasum aur ye jaanwar...ye hume maarne aaya tha,hum isse nahi aur tum iske jaiso ko maasum keh rahi ho....


apni friend ki awaaz sun wo teeno ladke sense me wapas aaye...


JUNGLE GIRL- jagah inka ghar hai..jahan tum log ghus aaye ho... apne ghar me zabardasti ghusne waale ko maarna galat nahi hota....


us helping girl kaa un chaaron se aise baat karna unke group ki ladki ko khatka tha isiliye uski baat sun saamne wo kuch kehne hi waali thi ki...


1ST LADKA-woh toh hai...par hum yahan bas ek project ke chalte aaye the... wapas jaane hi waale the ki tabhi isse saamna ho gaya....

1 LADKI-waise tum yahan kya kar rahi ho???

JUNGLE GIRL-ye jagah mera ghar hai...

1 LADKI- par abhi toh tumne kaha ki ye jaanwaro ka ghar hai... kya tum bhi inhime se ek ho....

JUNGLE GIRL-agar hoti toh tumhe bachane ki jagah iske saath milkar tumhara dinner karti....


jahan us ladki ki baat sun teeno ladke has diye wahin unki fellow girl chup ho gayi....


2ND GUY-guyzzz,look at it's teeth man...they look deadly....


unme se ek ne palatkar us GRIZZLY BEAR ke daanth ko jo abhi bhi khule hue the,dekhkar bola....


JUNGLE GIRL-GRIZZLY BEAR me biting muscles bohot strong hote hain....ye 1200 pounds per square inch ke pressure tak inhe band kar sakte hain..

kisi bhi human skull ko powder banane ke liye capable hote hain inke daanth....

aur jo tum log bhaagkar isse bachne ki koshish kar rahe the naa,wo koshish bhi bekar hi thi...

kyunki ye bohot agile hote hai.. short distance run me ye kaafi sashaskh hain....

small sprint me ye 35 se 40 miles per hour ki speed tak doudte hain jo kisi bhi race horse se zyada hai....

1st LADKA-wow yaar.. tumhare paas toh iske baare me kaafi knowledge hai.....

1 LADKI-arre isne bataya naa ki ye yahin se hai.. toh knowledge ke naam par isse yahan ke baare me hi toh bas pata hoga naa....


apni baat keh wo ladki has di


JUNGLE GIRL-tum ECOLOGY ki student ho right!!!

2ND-sirf ye nahi hum sab hi ECOLOGY aur saath hi ZOOLOGY ke bhi students hain tabhi toh yahan project ke liye aaye hain..

1LADKI-tumhe koi idea hai ZOOLOGY aur ECOLOGY ke baare me yaa fir bas yahin ke jaanwaron ka knowledge hai...

2ND LADKA-hey,ye tum kaisi baatein kar rahi ho.. aren't u forgetting ki hum inhi ki wajah se zinda hain...

JUNGLE GIRL-its okay..sawal hi toh pucha hai....

QUANTITATIVE ECOLOGY AND EVOLUTIONARY BIOLOGY....yahi book hai naa tumhare side bag me...


saamne khadi ladki ke kandhe par ek side bag latak raha tha jiska chain halka loose tha aur lagatar doudne ki wajah se dheere dheere khulne laga tha jiski wajah se bag ke andar rakhi book thodi si baahar thi jiska glimpse dekh JUNGLE GIRL ne uska naam guess kiya...

wahin apni book ka naam JUNGLE GIRL ke mooh se sun us ladki ko shock laga aur....


1 LADKI-tumhe iske baare me pata hai!!!


JUNGLE GIRL-thoda bohot....

QUANTITATIVE ECOLOGY AND EVOLUTIONARY BIOLOGY...a book by OTSO OVASKAINEN.. AUTHOR NAME...HENRIK JOHAN DE KNEGT,MARIA DEL MAR DEL NUMBER OF PAGES NUMBERS 285..

this book achieves an integration of empirical data and theory with the aid of mathematical models and statistical methods... each and every chapter starts by describing the concepts and techniques with the help of empirical examples....


JUNGLE GIRL ki baatein sun uske saamne khade un chaaron ka mooh khula ka khula reh gaya tha....


2ND LADKA-you are a genius....

JUNGLE GIRL-say something i dont know...

1ST LADKA-kis institute se padhi ho tum...???

JUNGLE GIRL-kisi bhi tarah ke knowledge ke liye kisi institution ki zaroorat nahi hai...all you need is passion...

YOU ONLY GET WHAT YOU SEEK...

ab ye sab chhodo...agle mod par jo jeep khadi hai,wo tumhari hi hai naa!!!

1LADKA-haan..uske aage ka raasta kaafi kharab tha isiliye hum yahan chalke aaye the...

JUNGLE GIRL-andhera ho raha hai...isse pehle ki ye andhera tum chaaron ko nigle,get out of here...


ye bol wo ladki mudi aur aage nikal gayi...

wo chaaron bhi uske piche piche ho liye...


1ST LADKA-waise i am.....

JUNGLE GIRL-end me intro nahi hota...waise bhi mujhe nahi lagta iske baad hum kabhi milenge...so don't bother....

2ND LADKA-but hume toh apne saviour ka naam pata hona chahiye naa..whats ur good name???


JUNGLE GIRL ke apne naam batate batate wo mod aa gaya jahan un chaaron ki gaadi khadi thi...


JUNGLE GIRL-jitni jaldi ho sake,nikal jaao....


ye bol paas se nikle pedon ke kaafilon ke beech wo ladki kho gayi....

wo chaaron bhi mouke ki nazakat ko samajh turant apni jeep me baith nikal gaye....


1ST LADKA-i haven't seen such a brave and intelligent person in my whole life...

2ND LADKA-tu kya kisi ne bhi nahi dekha hoga..what a girl man..waise uski tarah uska naam bhi bada hi cute tha...


MAHI.............(HEROINE)






AAJ KE LIYE ITNA HI
 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF RAAZ AUR FLORIN KE BEECH PEHLI BAAR KHUL KAR BAATEIN HUI WAHIN DUSRI TARAF MAHI NE KUCH STUDENTS KI JAAN BACHAYI




AB AAGE:-




UPDATE-4




PLACE-TONGASS NATIONAL FOREST




KAISI HO MAHI????


jungle ke beecho beech bani ek gufa ke andar jalti hui roshni ke beech haathon me kitab liye usse padhti MAHI ke kaano me ye awaaz gunj uthi jisse sun uske labon par ek muskurahat aa gayi jisne uske beintaha khubsoorat chehere ko aur haseen bana diya tha....

book ko band kar yunhi muskurate hue hi....

MAHI-kaafi dino baad aapki awaaz sun rahi hun...kya aaj bhi sirf is awaaz se hi mujhe baat karna hoga ya fir wo ghadi aa gayi jab mujhe aapke darshan praapt honge....

AWAAZ-wo samay zyada door nahi hai MAHI jab mai aapke saamne aaunga par....

MAHI-par filhal wo waqt nahi aaya hai...!!!!

us awaaz ki baat ko MAHI ne pura kiya.... MAHI ki baat me ek utawlapan tha jo us AWAAZ ne saaf mehsoos kiya tha...

waise ye jigyasa galat bhi nahi thi.....

pichle 15 saal se MAHI is awaaz ko sun rahi thi...par kabhi bhi us awaaz ke swami ko usne dekha naa tha.....

ajeeb hai par hai sach..waise dekha jaaye toh MAHI ki puri zindagi hi ajeeb hai ya fir ye kahen ki ek RAAZ hai....

(A SMALL BRIEF ON MAHI)

MAHI ki zindagi ki shuruat issi jungle se hui thi...naa maa naa baap aur naahi koi aur saathi...

MAHI ne ab tak ki apni puri zindagi akele hi is jungle me guzari hai....

but usse naahi kisi baat ki kabhi complaint rahi hai aur naahi wo kabhi upset hui...

usse hamesha hi aisa laga maano uska koi apna hamesha uske aas paas hi hai,bas usse nazar nahi aa raha..

itne bade jungle me akele rehte hue bhi usse kabhi dar nahi laga..

aur naahi us jungle ke kisi bhi jaanwar ne usse kabhi koi nuksaan pahunchaya...

MAHI ke 3 saal ke hote hi achanak ek din usse apni gufa me kuch kitaben rakhi mili...

aur tabhi pehli baar MAHI ke kaano me wo AWAAZ gunji jo abhi abhi gunji thi....

par pata nahi kyun ek anjaan awaaz ko sunane par bhi MAHI ko dar nahi laga....

aur naa hi usse is baat se ghabrahat hui ki jo AWAAZ wo sun rahi thi,us AWAAZ ka chehra usse dikh nahi raha tha...

us AWAAZ ne MAHI ko bataya ki ye books uske dimag ko viksit karenge aur usse kaabil banayenge....

MAHI ne toh kabhi kisise baat hi nahi ki thi...language jaisi bhi koi cheez hoti hai wo ye tak nahi jaanti thi but fir bhi MAHI us AWAAZ ki baatein samajh gayi..

aur isse kamal ki baat ye hui ki MAHI ne un books ko pehli baar me hi araam se padh liya...

uske baad usse lagatar kuch waqt ke antaral me continuously books milti rahi jinme alag alag subjects ke saath saath puri duniya ke baare me saamanya gyan tha...

MAHI lagatar aur bohot tezi se samajhte hue un saari kitabon ko padhti chali gayi...

is beech jab bhi wo AWAAZ MAHI ke kaano me gunjti toh AWAAZ ki disha ke hisab se MAHI us AWAAZ ke piche ke chehre ko dhundne ki koshish karti par wo kabhi bhi safal nahi hui...

books ka level aur range bhi dheere dheere badhta gaya...alag alag subjects ke saath hi alag alag curricular activities aur fight teqhniques ki books bhi naa sirf MAHI ne padhe balki unsab me wo practically expert bhi banti chali gayi...

aur aaj ki taarik me MAHI aise aise books padh chuki hai jaisa ek life me ek saath padhna ache achon ki bas ki baat nahi...

is waqt bhi MAHI jo book padh rahi thi wo hai INFINITE JEST.....one of the hardest book to digest properly....

but MAHI ne ek hi din me is book ko lagbhag poora hi padh liya tha...

itna hi nahi,jis gufa me is waqt MAHI hai wo books kisi library se kam nahi lag rahi thi...

War and Peace , atlas Shrugge,Ulysses,Finnegans Wake,Gravity's Rainbow ,
the Brothers Karamazov aur aise hi saikdon rare books ki collections se wo gufa bhari padi thi....

apne theoretical knowledge ko practically sahi proove karna bhi MAHI ko bade ache se aata tha aur iska bhi ek example wo gufa hi tha...

kaise???

roshni se bhari wo gufa jahan is waqt MAHI moujud thi,wahan par roshni prakrutik nahi thi,balki us gufa me electric light jal rahi thi...

aur ye karishma kiya tha MAHI ne hydroelectric cells ke sahare...

actually us gufa ke baahar thodi hi door ek nadi behti hai..MAHI ne ussi nadi se gufa tak 6 feet chouda aur 5 feet gehra gadha gadh kar ek chota sa canal banaya hai...

MAHI ne nanoporous magnisium farite se paani ko hydronium aur hydroxide me toda aur fir chandi aur jesta electrode se isse cell ki tarah use kar 3.5 volt ya fir ye kahun ki 80 mili ampere ki electricity paida ki...

hai na genius ye bandi....!!!

END OF INTRO:-

AWAAZ-kya baat hai MAHI???tum meri awaaz pehli baar toh nahi sun rahi par aaj se pehle tumhe itna utawala nahi dekha....

MAHI-pata nahi kyun par aaj kal aisa lag raha hai jaise kuch chhutne wala...

ek ajeeb feeling aati rahti hai...maine is jagah par ab tak ki apni puri zindagi guzari hai...

but ab aisa lagta hai maano ye life,ye jagah ke saath mera saath khatm hone waala hai....

AWAAZ-aur tumhe ye bhi lagta ki is jagah ke saath saath shayad tum meri awaaz bhi fir kabhi naa sun paao!!!haina????

MAHI-shayad.....

AWAAZ-har cheez me sure hone waali ladki me mooh se shayad sunana ajeeb lagta hai..

khair,ye batao ki agar sach me tumhe ye jagah chhodni padi toh kya tumhe taklif hogi???

MAHI-nahi...bas thoda afsos hoga..is jagah maine apni zindagi ka itna waqt jo bitaya hai...

AWAAZ-bhawnaon ke paas dimag nahi hota kyunki wo dil se janm leti hain...isiliye is cheez par kisi ka zor nahi...

bas itna yaad rakho ki tumhare paas jo dimag hai,wo is jagah ke layak nahi hai...iski manzil kahin aur hai....

MAHI-iska matlab meri feelings sahi hai...waise jis dimag ke baare me aap baat kar rahe hain,uske baare me kuch puchun!!!

AWAAZ-pucho!!!

MAHI-bhale hi ye jungle,ye gufa mera ghar hai but mai is duniya se anjaan nahi hun aur naahi yahan ke logon se....

jitna sikhne ke liye log apni puri zindagi laga dete hain,utna maine kuch hi samay me sikha hai....

har insaan me alag alag khubi hoti hai...koi aisi kala hoti hai jisse wo master karta hai...

but mujhe toh is duniya me hone waali saari cheeze aati hain aur wo bhi kuch is tarah se jaise shayad koi aur naa kar paaye...

kaise???mera dimag itna saara data itni aasani se collect kar unhe mere through kaise process kar leta hai....???

AWAAZ-jo ehsaas tumhe aaj kal aa rahi hai,jis din wo ehsaas sach hogi,tumhe tumhare sawal ka jawab mil jaayega....


INTAZAAR KARNA.....





PLACE- ALFREEN ORPHANAGE




HEY GUYZZZZ....WAKE UP....

SEE WHAT'S HAPPENING TO RAAZ......


mere room me total 4 ladke rehte the jinme se ek ne baaki 2 ko chillakar uthaya...

reason....raat ke 3 baj rahe the..mai soya hua tha but meri body bohot zoron se vibrate ho rahi thi.... vibration itni zyada thi ki pura bed awaz karne laga tha jisse mere paas waale bed me soye ladke ki neend khul gayi...

aur jaise hi usne meri haalat dekhi toh wo chownk bhi gaya aur saath hi behad dar bhi..waise bhi sab mujhe ajeeb samajhte the aise me meri aisi haalat dekh koi bhi darega hi...

wi turant utha,light on ki or chillkar baaki ke do ladko ko uthane laga...

aur jaise hi wo dono uthe,unki haalat bhi pehle waale ladke ke jaisi ho gayi...

teeno ko kuch samajh nahi aa raha tha ki wo kya karen???


1st LADKA-ek kaam karo..tum dono wardens ko bulao mai jaakar FLORIN sir aur MARIA madam ko inform karta hun...

apni baat keh wo ladka turant FLORIN sir ke ghar ki taraf bhaaga aur baaki ke do warden ke kamre ki taraf....

in sab se bekhabar mera body lagatar hichkole khaa raha tha....

thodi hi der me warden aur uske kuch minutes baad FLORIN aur MARIA doudte hue mere room me aaye...

meri haalat dekh FLORIN aur MARIA ko jhatka laga..unke liye bhi aisa kuch pehli baar ho raha tha...

wahin wardens mere body ko dabakar control karne ki koshish kar rahe the but iska koi asar ho nahi raha tha....

FLORIN apna mobile apne ghar hi bhule the isiliye unhone warden se


FLORIN-call the doctor.....


warden ne apna mobile nikala aur wo doctor ko call karne hi waala tha ki tabhi mere body ka vibrate hona kam hone laga aur kuch hi seconds me mai normal ho gaya aur aisa hote hi meri aankh khul gayi aur mai ek jhatke me uth kar baith gaha...

uththe hi maine dekha ki mere room mates,wardens, MARIA aur FLORIN mujhe ghere khade hue hain..sabke aankhon me is waqt vismay bhara hua tha....


FLORIN-RAAZ abhi tumhe kya hua tha???

MAI- kuch nahi..i am good...

MARIA-but beta your whole body was terribly shaking....i think we should call a doctor..

MAI-no need...i said i am good...now can i sleep???


ye bol mai bina kuch aur sune wapas let gaya aur apni aakhen band kar li...

kuch der tak mujhe yunhi dekhte rehne ke baad...


FLORIN-chalo baccho..now there's nothing to worry...kal se aap sabke papers hain..so jaaiye...


apni baat keh FLORIN palatne hi waale the ki tabhi kuch dekh wo thithak gaye...


FLORIN WARDEN SE-can i have ur phone for a second...

WARDEN-sure sir.....


warden ne FLORIN ko apna mobile diya.FLORIN uske camera ko on kar mere bed ke paas aaye,ek pic click ki,aur us pic ko apne phone par send kar....


FLORIN-thanks...

WARDEN- its my pleasure sir...


mobile warden ko pakda MARIA ke saath FLORIN apne room ki taraf badh gaye....

MARIA jo ye sab dekh rahi.thi,room se nikalte hi....


MARIA-what was that all about???

FLORIN-room chalo,kuch dikhata hun....


chaliye jab tak ye dono apne room pahunchte hain,mai apko batata hun ki FLORIN ne kya dekha aur kiski pic li...

daras jab meri body vibrate ho rahi thi tab mere left hand ki index finger mere bed ke side me bane wooden area ko khured rahi thi...

waise toh mere nails itne sharp nahi hain but fir bhi meri body jitne zor se vibrate ho rahi thi ki mere index finger ka pressure bhi us wooden area par utna hi pad raha tha...

aur ussi pressure se baairik hi sahi par kuch kuch likhane laga jispar FLORIN ki nazar padi...

aur unki military man waali nazar ne us likhawat ko pehchaan liya aur unhe ye bhi pata chal gaya ki wo likhawat ekdum fresh hai matlab abhi abhi likhi gayi hai..

aur jab unhone mere right hand ki taraf dekha jo ki maine apne chest ke upar rakha hua tha toh unka shak sahi saabit hua..

scratch karne ki wajah se bed ke wood ka colour mere naakhun me laga hua tha..

aur isiliye hi unhone us likhawat ki pic le ki...

room pahunch FLORIN ne apna mobile uthaya aur jo pic unhone khud ko send ki thi,usse khol pehle khud dekha,fir mobile MARIA ko de diya...

aur mobile dekhte hi....


MARIA-ye sab kya hai???

FLORIN-ye wahi pic hai jo maine RAAZ ke bed se li thi...aur pic me jo likha hua dikh raha hai wo RAAZ ne likha hai wo bhi tab jab usse jhatke lag rahe the....


FLORIN ki baat sun MARIA ko tagda shock laga...


MARIA-how can you say that???

FLORIN-aap bhul rahi hain ki mai kabhi army ka ek decorated officer tha... unexpected chizon ka correct andaza lagana mujhe aata hai...

dhyan se dekhiye pic ko..usme jo likha gaya hai,waisa agressive nail rush se hi likha jaa sakta hai aur waise bhi jab hum RAAZ ke room me pahunche tab bhi maine wood scouring ki awaaz suni thi par tab condition aise the ki maine dhyan nahi diya but baadme jab ye likhawat dekhi aur saath hi RAAZ ke finger ko tab samajh me aaya ki wo ghisne ki si awaaz RAAZ ke nails ki thi....

MARIA-but ye sab likha kya hai???kuch samajh me hi nahi aa raha......maine toh aisi writing pehle kabhi nahi dekhi hai..

FLORIN- yahi toh pata lagana hai...khair,abhi so haate hain,iske baare me baad me sochenge.....


apni baat keh FLORIN aur MARIA bed par let gaye...

jahan MARIA kuch hi der me so gayi wahin FLORIN ki aankhon se neend gayab thi...

unke man me us likhawat ke matlab ko samajhne ki tivr iccha jagi hui thi..

iska ek aur reason bhi tha...RAAZ...ye likhawat aur inme chhipa matlab RAAZ se juda tha aur isiliye hi FLORIN kuch zyada hi soch rahe the....

aur jab kaafi der tak unki soch ne unhe sone nahi diya toh wo uth baithe...

apna mobile nikal wo wapas us likhawat ko samajhne ki koshish karne lage...

net shuru kar wo duniya me bole jaane waale har language ko us likhawat se match karkar dekhne lage par iska bhi koi faayda nahi hua..

apna mobile liye unhone wo pic open ki aur usse dekhne lage....


FLORIN-aakhir kya ho sakta hai iska matlab!!!!!


kaafi der tak alag alag tarah se koshish karne ke baad bhi unhe us likhawat ya fir ye kahun ki us puzzle ke baare me koi hint nai Mila toh thak haar wo wapas let gaye...

lete lete hi wo kuch der tak ussike baare sochte rahe aur yunhi sochte sochte wo neend ke aagosh me chale gaye...

FLORIN so toh gaye par ab bhi unke dimag me wahi likhawat ghum rahi thi....

likhawat jo kuch aisi thi....


INCEPHDONUN GISGNAGRAPH VANDRRUXORMENDURGAL






AAJ KE LIYE ITNA HI.....
 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF EK AWAAZ MAHI SE BHAVISHYA KI BAATEIN KARTI HAI WAHIN DUSRI TARAF FLORIN KO RAAZ KE NAILS SE LIKHI GAYI KUCH WORDS MIKTE HAIN JINKA WO MATLAB NAHI SAMAJH PAATE



AB AAGE:-





UPDATE -5




PLACE-RIVER BANK




ARRE,AAJ TUM IS WAQT YAHAN!!!!! LAGTA HAI AAJ ZYADA KHAA LIYA HAI,KYUN???


dopahar ka waqt hai.. MAHI apne gufa se kuch door behti nadi ke ek kinare lage chattan par baithi paani ko dekhti kuch soch rahi thi ki tabhi usse koi apne paas aata mehsoos hua....

ye aane waala aur koi nahi ek haathi tha jisse dekh MAHI muskura uthi....

kyunki bachpan se hi MAHI yahin rahi hai aur jaisa ki maine pehle bhi bataya hai ki jungle ke kisi bhi jaanwar se MAHI ko kabhi koi khatra nahi raha hai isiliye wo yahan ke sabhi janwaron ke saath naa sirf kheli kudi hai balki apni sharirik shakti aur furti ki jaanch bhi usne inhi ke saath test karkar ki hai...

abhi abhi jo elephant MAHI ki taraf aaya tha,uska swabhik waqt ya toh subah subah ya fir shaam dhalte waqt wahan aakar paani pine ka tha par aaj usse bhari dopahar wahan dekh MAHI ne apna sawal kiya tha...

MAHI ke sawal par us haathi ne zor se chinghada jisse sun MAHI yun muskurayi maano usse us haathi ki baat samajh aa gayi ho....

wahin wo haathi MAHI ke paas hi aakar paani peene lag gaya... MAHI bhi us haathi ko sehlate hue usse dekh rahi thi...


MAHI-yaar ek baar firse ho jaaye...


jaise hi MAHI ne us haathi ko ye kaha toh wo haathi apne sund ko naa me hilane laga jisse dekh pehle MAHI has di par phir.....


MAHI-arre yaar kuch nahi hota..bas ek last baar...kya meri itni si baat nahi maanega....


MAHI ke lagatar kehne par us haathi ne haan me apna bada sa sir hilaya jisse dekh MAHI khush ho gayi..

aur uske agle hi pal wo haathi wapas piche ki taraf chal diya wahin MAHI bhi us chattan se utar thoda aage hokar khadi ho gayi...

wahin kuch door aage jaakar wo haathi wapas palta,ek zor ki chinghad lagayi aur fir....

wo haathi tezi se MAHI ki taraf badha...wo aise doud raha tha maano MAHI ko kuchal hi daalega par wahin MAHI chupchaap apni jagah par khadi hi rahi....

sthir chehra,sthir sharir liye wo ektak us haathi ko apne kareeb aati dekhti rahi..kuch hi palon me us haathi ne apne aur MAHI ke beech ki doori puri kar li thi...

MAHI se kareeb 6 feet ki doori par pahunch us haathi ne apne soond ko saamne ki taraf kuch aise ghumaya maano usse MAHI ko chitka kar chaaro khaane chit kar dena chahta ho...

par ye kya!!!!!soond ke ghumne ke baad bhi MAHI chupchaap khadi us soond ko apni taraf aata dekhti hi rahi...

aisa lag raha tha maano MAHI ne khudko surrender hi kar diya hai par tabhi......


THAAP......THOOBBB.......


jaise hi wo soond MAHI ko chune ko hua,second ke duswe hisse me hi MAHI ka sharir jhukta chala gaya,jisse soond maahi ke 1 inch upar se jokar guzarne laga...

abhi soond pura guzra bhi nahi tha ki MAHI ne apne right hand ko badhakar soond ko zor se thama jisse THAAP ki awaaz hui...

soond ko thaam MAHI ne apne sharir ko jhatka diya aur agle hi pal MAHI ka sharir kalabaazi khata hua upar uthne laga aur dekhte hi dekhte MAHI us haathi ke upar thi...

MAHI ko apne upar chadha hua dekh haathi ne apne saamne ke dono pair hawa me uthaye taaki MAHI disbalance hokar piche ki taraf ludak jaaye par isse pehle ki MAHI disbalance hoti,usne ek baar phir se khudko hawa me ucchal diya...

MAHI ka sharir hawa me kayi feet uthta chala gaya aur fir jaise hi wo neeche aane lagi, MAHI ne apne ek pair ko mod liya aur agle hi pal....


THOOB.... MAHI ke ghutne se haathi ke peeth se takraane se ye awaaz ubhri... MAHI ke ghutne ka pressure itna zyada tha ki haathi neeche baiththa chala gaya....

aur neeche baiththe hi apni chinghad se aur soond ko upar uthathe hue haathi ne apni haar maan li....

ye pehli baar nahi hua tha jab MAHI ne us haathi ko haraya tha.. pehle bhi kayi baar alag alag tariko se MAHI is haathi aur iske saath hi jungle ke lagbhag sabhi takatwar jaanwaro ko hara chuki hai aur isiliye hi haathi pehle MAHI ki baat sun mana kar raha tha...

khair,haathi ke apne haar maanane ke agle hi pal MAHI ka sharir ek baar firse kalbazi khata hua aage ki taraf uchla aur ab MAHI wapas ussi chattan ke upar thi jahan wo kuch der pehle baithi hui thi...

par wahan pahunch MAHI baithi nahi balki wahan rakhi uski arrow aur bow ko usne uthaya...

pratyancha chaddha MAHI saamne ki taraf dekhne lagi...

darasal MAHI ke saamne jo nadi beh rahi thi,wahan nadi ke dhaar ke beech thodi thodi door par teen pathar the aur un teeno patharo par teen medium size ALLIGATORS apna apna sir tikaye lete the....

unhi ko dekhte hue MAHI ne apne arrow ko bow ki had tak peeche ki taraf kheencha aur.....


phuurmmmmmm......


haathi jo ab bhi baitha hi hua tha,zor se chinghada jisse sun MAHI ne muskurate hue uski taraf dekha...


MAHI-fikr mat kar.....filhal wo ALLIGATORS nahi marne waale....


haathi ki chinghad ke piche ke reason ko samajh MAHI ne apni baat ki...

apni baat keh MAHI ghutno ke bal tedhi ho neeche ki taraf jhuki aur agle hi pal.....


THOOPPPPP............


MAHI ne teer chala diya jo lightning speed se aage badha aur dekhte hi dekhte wo teeno pathar jo ek hi line me the,un teeno patharo ko ek baad ek kisi makhan ki taraf beech se cheerta hua nikal gaya aur aisa hote hi us shaant vatavaran me THOOPPPPP ki awaaz gunj gayi....

itna hi nahi,wo teeno pathar jaise hi beech se kate toh un patharo ke upar ka hissa hawa me ud gaya aur saath hi uske pressure se kayi feet ud se gaye wo teeno ALLIGATORS.....

jahan is scene ko dekh ek taraf us haathi ne ek aur chinghad maari maano MAHI ki taarif kar raha ho wahin MAHI ke chehre par pehle toh ek halki si muskaan ubhri par agle hi pal wo wapas kisi soch me ghir gayi...

ye wahi soch thi jo usse aaj subah uthne ke baad se hi pareshan kar rahi hai...

kya????chaliye jaan lete hain but usse pehle ek aur baat jaan lijiye....

MAHI ka dimag sirf jaagte waqt hi nahi chalta balki sone ke baad bhi uske dimag ka gyaan chakra puri tarah se sakriya rehta hai....

MAHI ek jigyasu ladki hai...usse lagatar kuch na kuch sikhne ki talab lagi rehti hai...aur uska atti tez dimag is kaam me uski bohot help bhi karta hai...

din bhar MAHI jo bhi karti hai,jo bhi sikhti hai,raat ko sone ke baad bhi uska dimag un saare kaamo ko,un saari seekh ko perfect banane me laga rehta hai....

aur kal raat bhi wahi ho raha tha... MAHI toh so gayi thi but uska dimag uske kal kiye saare kaamo ko perfect banane me laga hua tha....

sab kuch har raat ki tarah hi tha par tabhi......




YESTERDAY NIGHT'S FLASHBACK




MAHI......



MAHI ki neend me uske dimag me ye awaaz gunj uthi aur aisa hote hi uske dimag me jitni bhi processing chal rahi thi,wo rook gayi ya fir ye kahun ki bikhar gayi aur agle hi pal MAHI ka dimag ek tez roshni se bhar gaya...

roshni tez zaroor thi par ye roshni MAHI ke dimag ko,uske soye hue pure sharir ko thandak de rahi thi....

MAHI is sukhad ehsaas ko feel kar hi rahi thi ko tabhi....


AWAAZ-KYA BAAT HAI MAHI???AAJ KAL TUM KUCH UDAAS REHTI HO....


ye ek ladki ki awaaz thi...jo roshni is waqt MAHI ke dimag me thi,is awaaz ke gunjte hi us roshni me vibrations hui jisse MAHI ka dimag bhi halka kaamp gaya..

tez dimag ke liye sthir budhi ka hona anivarya hai,aur MAHI toh super intelligent hai,isiliye uska dimag bhi is is achanak aaye awaaz se zyada chownka nahi balki isse ulat usme ek jigyasa ne janm liye isiliye....


MAHI'S MIND-kaun ho tum???aur tum mere dimag me kaise ghusi???kya tumne telepathy technique ka istemal kiya hai???agar haan, toh kaise????isse sikhne ka initial point kya hota hai????

CEREBRUM, CEREBELLUM ya fir MEDULLA OBLAGANTA (brains ke 3 parts)....

ye technique inme se kiske under process hoti hai...????kya isse turant jab chahen tab trigger kiya jaa sakta hai ya fir ye time taking technique hai...???


ek saath kayi sawal daag diye the MAHI ke dimag ne....


AWAAZ-ek sawal ke jawab me tumne itne saare sawal puch liye...par yahi toh swabhav hai MAHI ka,kyun!!!???har cheez ko jaanane ki,usse sikhne ki khwahish....

khair, tumhare sawal ka jawab agar maine diya toh wo jawab ek ya fir ek se zyada sawalon ko janm dega....

jiska jawab itni ialdi se dena aur un jawabon ko samajhna itna asaan nahi hoga.....

isiliye filhal ke liye tumhare sawalon par purn viram lagate hain aur wapas chalte hain mere sawal ki taraf...

aaj kal tumhare udaas rehne ka kaaran kya hai???


MAHI'S MIND-tumne meri udasi ko bhaampa hai,uske upar tum mujhse yun judkar mujhse baat bhi kar rahi ho, iska toh ek hi arth hai ki tum mere baare me sab kuch jaanti ho...

fir toh tumhe mere udaasi ka kaaran bhi pata hi hoga!!!


AWAAZ-do logon ke beech agar sawal aur jawab,dono ka zimma ek hi ke upar aa jaaye toh fir dusre ke hone ka kya arth hai???

MAHI'S MIND-impressive....udaas nahi hun mai..bas jo ek maatr dost mera itne saalon tak saath bana raha,VIDYA,ab lagta hai uska bhi mujhe chhod kar jaane ka samay aa gaya hai...

bas isiliye thodi dukhi hun...

AWAAZ-vidhya samapt hone ki vastu nahi hai MAHI.... ye toh wo khazana hai jisse jitna bhi khaali karo,ye utna aur bhar jaata hai...

MAHI'S MIND-mujhe toh aisa nahi lagta....is duniya me sikhayi jaane waali aisi koi Vidya ab bachi hi nahi jo mujhe nahi aati...

toh aise me aapke bataye khazane ke badhne ka sawal hi nahi uthatha....

AWAAZ-tum galat ho MAHI...tumhe jo raaste ka anth lag raha hai,asal me wahi tumhare sahi raaste ke shuruat hai...

tumhe lagta hai ki tum gyan ke antim charan par ho,par asal me gyan ki duniya me tum ek nanhi baalika ho...

tumhe lagta hai ki tumne shreshtatha haasil kar li hai,kintu asal me filhal shreshtatha se tum koson door ho....

apni jis taaqat ko tum taaqat hi hadh samajhti ho,asal me woh taakat hai hi nahi....



FLASH BACK ENDS:-



inhi aakhri lines ke saath wo roshni jo MAHI ke dimag me thi,wo ek jhatke me khatm ho gayi jisse MAHI ki neend bhi toot gayi...

aur tabhi se MAHI un kahi hui baaton ke baare me soch rahi hai aur isiliye hi usne abhi abhi apni shakti ka pradarshan kiya tha....



MAHI-AGAR YE TAAKAT NAHI HAI,TOH FIR KYA HAI????





PECULIAR SPACE




PLACE-VIPERIOUS BANISHMENT






UPARANDHATI ATTIPRASAGGAYATE

UPARANDHATI ATTIPRASAGGAYATE


CINTAYATI AZRITA

CINTAYATI AZRITA



waise toh ye do alag alag SPELLS the....par kamal ki baat ye thi ki ye dono spells ek saath ek hi waqt me ek saath uccharit ho rahe the...

aur inka shroth bhi ek hi tha...


VIPERIOUS BANISHMENT....universe ke ek ajeeb si jagah (PECULIAR SPACE)par bani ek ajeeb si chaardiwari....

PECULIAR SPACE ajeeb si jagah isiliye tha kyunki universe ka ye bhaag bramhaand se jud kar bhi alag tha....aisa lag raha tha maano ye jagah cursed hai...

andhere aur roshni ke beech sunya ko ghurti ye jagah apne aap me akeli hai..

naahi ye koi galaxy ka hissa hai naahi yahan door foor tak kisi star ki chamak hai,naahi yahan koi jeevan deyi ya koi dead planet hai aur naahi kisi aur kism ki koi celestial body par phir bhi ek dhundla sa ujala har taraf faila hai...

par sabse ajeeb aur darawani baat ye hai ki agar us ujale me jhaaka jaaye toh sirf andhera dikhta hai...

ek aisa andhera jiske andar beintaha taakat hai aur saath hi bhook bhi....aisi bhook jo agar chaahe toh pure bramhaand ko hi nigal le..

aisa nahi hai ki ye jagah aisa karna nahi chahti par shayad kuch hai jiski wajah se ye aisa kar nahi paa rahi...


VIPERIOUS BANISHMENT....yahi naam hai us chardiwari numa chote par abhedya makhbare ka jo bina kisi gravitational field ke bhi space me adig khadi hai...

par ajeeb ye baat nahi hai...jo baat alag,avismaraniya aur ajeeb hai wo ye hai ki jo dhundhla sa ujala us jagah par faila hua hai,wo us PECULIAR SPACE ka nahi balki us VIPERIOUS BANISHMENT numa makbare ka hai...

ek kaali roshni ka chakra bohot hi tez gati se us makhbare ke chaaro taraf ghum raha hai....

us roshni ke ghumne se ek nayi urja jamn le rahi hai aur ye ujala jo har taraf faila hua hai,wo ussi urja ka hissa hai....

dekhne me ye saara drishya kisi bhayanak sapne se kam nahi lag raha..par itne bhayanak maahoul ki khamoshi ko cheerta hua ek atti aakarshak awaaz dhairya ki parikashtha ka udaharan dete hue ek niyamit samay par ek hi baar me do alag alag SPELLS ko uccharit kar raha hai.....



UPARANDHATI ATTIPRASAGGAYATE

CINTAYATI AZRITA






AAJ KE LIYE ITNA HI....

 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF EK LADKI KI AWAAZ MAHI KE SAPNE ME AAKAR USKE BHRAM KO DOOR KARTI HAI WAHI DUSRI TARAF PECULIAR SPACE ME 2 SPELLS LAGATAR UCCHARIT HO RAHE HAIN.

AB AAGE:-




UPDATE-6




PLACE-UNKNOWN





KYA BAAT HAI????ITNI GEHRI SOCH.....!!!!KAARAN JAAN SAKTA HUN....???

2ND-ek hi toh soch hai jo lagatar dimag me uthtati rehti hai....


aur apne saath uthati hai saikdon sawal...


1ST-jinka jawab naa toh pehle kabhi mila tha,aur naahi ab milega...phir vyarth kyun us baare me sochna...

2ND-kehna aasaan hai..kya tumhare man me ye soch baar baar dastak nahi deti..???kya tumhara mastishk tumse sawal nahi karta..???kya tumhara man sach jaanane ke liye vyakul nahi hota...

1ST-hota hai,kintuuu!!!!

2ND-kintu kya????

3RD-kintu ye ki jis sawal ka jawab khoja naa jaa sake,ya fir spasht shabd me kahun toh jiska uttar jaanane me hum asamrth hon,ayogya hon,aise prashn ko waqt ke garv me hi chhod dena chahiye...

waqt se bada sangrahalay koi nahi hai...prashno ki aisi koi kitab nahi jo waqt naam ke sangrahalay me nahi milti...

par jaise har sangrahalay ke khulne aur band hone ka ek nirdharit samay hota hai,thik ussi prakar har prashn ke uttar ke milne ka bhi ek nishchit samay hota hai...

aur jo sawal tumhare saath saath hum sabke man me hai,uske uttar ka samay purv nirdharit hai...

aur jab wo samay aayega,saare RAAZ khul jaayenge.....

tab tak apne dhairya ko banaye rakhne aur apne daaiytvon ko nirantar nibhana hi hamara param kartavya hai...

2ND- daayitva toh hum nibha hi rahe hain aur aage bhi nibhate chalenge...

aur haan,aapka kathan bhi sarwatha uchit hai ki sahi waqt par saare RAAZ khul jaayenge....

kintu meri soch aur sawal bhi toh galat nahi....kyunki jis soch aur sawal par purn viraam lagane ke liye aap keh rahe hain,hume har din ussi soch aur sawal ko dekhte hue,unke madhya rehte hue aur sab se ajeeb aur mahatvapurv satya,us sawal ko aur sashakt banate hue rehna padhta hai.....

jo daayitv aur nirdesh hume mila tha,aaj uska paalan karte karte na jaane kitni sadiyan beet gayi hain..

ek aisa daaiytva jisse nibhane me kabhi koi vign nahi aaya,koi rukawat nahi aayi..

kintu phir bhi,safalta purvak apna kaarya karne ke baad bhi khushi hamesha aadhi hi milti hai..

baaki ka aadha bhaag dukh ki ek aisi shreni me chala jaata hai jiske zimmedaar bhi hum hi hai...

ek aadesh se khadi ye jagah lagatar apne saath humari shakti ko chunouti deti aa rahi hai...

aur sabse dukhad baat ye hai ki us chunouti ko hum khud hi taiyar kar rahe hain...

itne saare vichar,aur in vicharon me behti hui shankayen,in par purn viraam lagana aasaan nahi hai....

3RD-tumhari koi bhi baat,tumhara diya koi bhi tark galat nahi hai..kintu utna hi sach ye bhi hai ki jinke aadeshon ka hum paalan kar rahe hain,unki soch ko samajhne ki shamata humme nahi hai...

hum bas ek hi chiz kar sakte hain..vishwaash...vishwaash ki jo bhi ho raha hai aur aage bhi jo hoga,bhale hi dekhne me wo galat lage,par uska uddeshya sarvatha sahi hi hoga....


baat ko lamba khinchte hue dekh.....


1ST- ye sab baatein chhodo,aur yah batao ki kal MAHI se tumhari bhet kaisi rahi...???

2ND-sadharan hi thi..mujhe toh kuch alag nahi laga....

1ST-aksar jo dikhta hai wo hota nahi hai aur khaas kar tab jab wo baat LORD OF ANGEL aur CREATURE OF JUDGEMENT se judi hui ho...

agar baat sadharan hoti toh MAHI ke sapne me jaakar usse baat karne ke liye dono LORDS ne tumhe nahi kaha hota.....

2ND-haan ye toh hai...par ek baat aur bhi hai jo sochne waali hai...

1ST,3RD-KYA???

2ND-dono ke asli jeeven ka samay ek saath aane waale hai...

1ST,3RD- dono ke???

2ND-MAHI aur RAAZ........




WAHIN KAHIN AUR:-




BARRIER TUMNE LAGAYA THA???


sawal zaroor tha par narazgi se bhara hua tha....


UNKNOWN 2-haan... aur naaraz hone ki jagah tumhe mujhe dhanyawad karna chahiye....

aaj tumhare rays gaadhe the.. agar mai barrier nahi lagata toh andaza hai ki kya ho jaata...

UNKNOWN-wahi hota jo maine chaha tha....aaj maine khudko bramhaand ki har hadh tak pahuchane ka waada kiya tha...

par mere CONNECTION SPELL ke rays ko tumhare BARRIER SHEILD ne rok diya....

UNKNOWN 2-aur isiliye hi tumhe mujhe dhanyawad karna chahiye...

kya tumhe yaad nahi rehta ki hum kahan hain???is jagah ko bhedna filhal hamare liye asambhav hai...

agar maine BARRIER nahi lagaya hota,toh ********* ko pata chal jaata aur fir wo tumhare SEARCH RAY ko DECODE karkar sab pata kar lete...

UNKNOWN-aisa kuch nahi hota..kisi ko pata chale ,usse pehle hi mere SEARCH RAYS yahan ki sarhad se nikal chuke hote...

UNKNOWN 2- HAHAHAHA


uski baat sun saamne waala has diya...


UNKNOWN 2 itne intelligent dimag me itni bewakufi bhara thought kaise aa sakta hai???

sach hi kehte hain ******...ATTI JIGYASA BHI KABHI KABHI BUDDHI KO BRASHT KAR DETI HAI...

tumne meri baat suni hi nahi kya!!!yahan se nikalne se pehle hi tumhare SEARCH RAYS pakde jaate...

is puri jagah ke har border par bohot strong BARRIERS lage hain..

jo naa sirf yahan se bahar jaane waale SPELLS ko rokte hain balki unhe kaid kar wapas yahan ****** ke paas le aate hain....


UNKNOWN 2 ki baat sun UNKNOWN 1 ne apna sir samajhne waale andaz me hilaya par ab uske chehre par udasi saaf dikh rahi thi....


UNKNOWN 2-arre isme udaas hone ki kya baat hai??? maana ki tumhe apne POWER SOURCE ka pata lagana hai...

tumhe hi kya,mai bhi ye jaanane ke liye bohot utsuk hun ki hamare SPELLS ka asli shroth kya hai but abhi hamare liye janana impossible hai...

but sirf abhi ke liye...maine pehle bhi kaha tha,hume bas dhairya rakhna hai...filhal hum PHASE 2 me hain,ek baar hum PHASE 3 pahunch gaye fir saare BARRIERS hamare liye hat jaayenge..

tab hum jitna chahe aur jahan chahen,utni power release kar sakte hain...

par uske liye pehle hum filhal jis mod par hain,usse paar karna hai......fir shuru hoga ek naya adhyaya..

Jisme hum naa sirf apne sawalon ke jawab dhundenge par saath hi ********* ko nayi uchayiyon par le jaayenge.....






PLANET- EARTH




PLACE- ALFREEN ORPHANAGE





HEY RAAZ,CAN WE TALK????


aaj se mere borad exams the..mai shirt ko tuck in kar hi raha tha ki itne me mere piche se kisi ne mujhe pukara tha..

maine palat kar dekha toh ye mere wahi batch mates the jo kal shaam mera mazak udaa rahe the.....


MAI-u all wanna say sorry for yesterday???

SAB- haan....wo actually

MAI-no need..maine kal hi kaha tha ki agar sach negetive ho toh wo jhooth nahi ban jaata...

unki baat kaatthe hue maine apni baat puri ki...


1ST-par humne jo kaha,naa toh wo sach tha aur naahi sahi....


kuch der tak mai un sabko dekhta raha aur phir....


MAI-tum sab khudko isiliye galat keh rahe ho kyunki tumne mujhse kal wo sab baat kahi,right!!!

SAB-haan...

MAI-sahi aur galat ke do version hote hain..

tum sab pehle version me aate ho...aur isiliye tum tab nahi ab galat ho....


meri baat unme se kisi ko samajh nahi aayi aur isiliye....


SAB -hum samjhe nahi???

MAI-pehle dusre version ke baare me jaan lo...isse pehle version ko samajhne me aasani hogi....

NAZARIYA....ye dusra version hai...koi kya sochta hai,kaise sochta hai,ye uska nazariya hai...jo uske sach hai,jo sirf uske liye hi sahi hai...

agar koi aur usse galat kehta hai,toh wo galat uska sach hai..uske liye sahi hai...

aise me naa koi galat hota hai,aur naahi koi sahi..baat bas NAZARIYE ki hoti hai...

par jis hisab se tum sab ab maafi maang rahe ho,usse ye saabit hota hai ki tum apne actions ke liye sure nahi ho..

agar hote toh waise thoughts tumhare dimag me aate hi nahi...

kyunki galti tab nahi hoti jab hum galat karte hain yaa fir galat bolte hain, hum toh galat tab hi ho jaate hain,jab hum galat sochte hain...

par tum sab ki thoughts MARIA ma'am ke bolne ke baad change hui...


AISI SOCH KA KYA FAAYDA,JISKI BEEJ,JISKI UPAJ KISI AUR KE DIMAG KI BOYI HUI HO......


now will u excuse me, mujhe ready hona hai....


apni baat keh mai shirt ek baar fir se tuk in ki aur baaki ke preps me lag gaya..

wahin mere saamne khade mere batch mates kuch der tak meri baaton ko samajhte hue ya fir ye sahi maayno me meri baaton ko samajhne ki koshish karne me lage rahe par fir jitna unke dimag me ghusa,usse digest kar nikal gaye...

un sab ke jaane ke kuch der baad ready hokar mai bhi nikla.... corridor se hote hue baahar ki taraf mere kadam badhe hi the ki


RAAZ......


awaaz sun mai ruka aur ussi awaaz taraf chal diya..

ye awaaz FLORIN sir ki thi jo is waqt lawn me warden ke saath khade the....


FLORIN-are you alright son!!!

MAI-haan....

FLORIN-aaj se tumhare board hain....tumhe batane ki zaroorat toh nahi hai naa ki jis tarah har saal tumhare claases me promotions hote aaye hain,waisa ab nahi hoga..

you have to paas your exams by ur own merit....


FLORIN sir ne ye baat isiliye kahi thi kyunki government ke rules ke hisab se har bacche ko 10th tak qualify karna compulsory tha...

aur sirf issi wajah se mai 10th tak pahuncha tha...maine 9th tak kisi bhi exam paper me kabhi kuch nahi likha tha..

ye sirf rules hi the jiski wajah se mai dhakka khaate khaate yahan tak pahunch paaya tha...

but ab aisa nahi tha..agar mujhe 10th me paas hona tha toh isse apne dum me hi mai kar sakta tha...

FLORIN sir ye baat ache se jaante the,unhe har saal principal sir meri dhero shikayat bhi karte but who cares man...

FLORIN sir is baat se bhi anjaan nahi the ki is saal bhi maine hostel me books ko haath bhi nahi lagaya tha...

par fir bhi mere saamne khade hokar gyan de rahe the...

khair,mai chup chaap khada unki baat sunta raha... mere haav bhaav dekhkar FLORIN sir samajh gaye ki mere kaan me unki baaton ki juen reng tak nahi paayi hain but unhone aage kuch kaha nahi but unke saath khade warden ko mera ATTITUDE bilkul nahi bhaaya aur isiliye...


WARDEN-RAAZ,tum apne future ke baare me kya sochte ho,ye toh tum hi jaano but kamsekam apne behaviour ko toh thik kar hi sakte hai...

yahan FLORIN sir tumse tumhare hi benefit ki baat kar rahe hain aur tum aise show kar rahe ho maano ye koi hain hi nahi...

tumhe toh inka thankfull hona chahiye ki inhone tumhe rehne ke liye chhat di..

is hostel ka har baccha kisi na kisi cheez me acha hai siway tumhare..

tumhara pura acadamic history kharab hai par iske baawajud inhone ya MARIA ma'am ne tumhe kabhi nahi daata...

but tum toh hamesha aise behave karte ho jaise yahan rehkar, school jaakar tum hum sab par koi ehsaan kar rahe ho...

ghusse se bhar utha tha ye warden aur ussi awesh me bolta chala gaya....apni baat keh wo chup hi hua tha ki...

MAI-ek sawal mai aapse puch sakta hun FLORIN sir...???

FLORIN-pucho???

MAI-ALFREEN ORPHANAGE...yahi naam kyun rakha aapne is orphanage ka....???


mere sawal ko sun ALFREEN sir ke maathe par pehle sawalon ke bal ubhre aur fir...


FLORIN-mai is jagah ko apni beti ka naam dena chahta tha...

MAI-aur aapko ye bhi yakin hai ki kyunki anath bachho ko aasra dena ek noble cause hai,toh iska faayda apki beti ki spirit ko bhi hoga..

usse heaven nasib hoga,right???


FLORIN sir meri baat sun baahar se toh shaant hi rahe but under se wo hadbada gaye the kyunki meri baat kahin na kahin sahi hi thi...


FLORIN-may be.....

MAI-iska matlab aap GOD me bhi yakin rakhte hain.....holy books bhi padhte honge aap....!!!

FLORIN-ofcourse...

MAI-kya aapke holy book me ye nahi likha ki kisi ki help karna sabab ka kaam hota hai...

kya usme nahi likha hai ki if u are helping someone,than dont even let your left hand know what your right hand is doing...

agar aisa kiya than you and your deeds will be rewarded in heaven....

toh warden sir ab aap ye bataiye,kisne kispar ehsaan kiya...?????

hum yahan hai ye toh bas kuch waqt tak milne waala sukoon hai,par hume yahan rakhne ki wajah se upar inki beti ko aur yahan sir aur ma'am dono ko hamesha spiritual blessings milti rahegi....


meri baat sunane ke baad bhi jab dono bas aankhen badi kar chup hi rahe,toh mai school ki taraf nikal gaya..


FLORIN-aapko RAAZ se wo sab nahi kehna chahiye tha...

WARDEN-but sir mai toh...

FLORIN-humne ye anath aashram apni khushi se khola hai..ye hamare liye koi kaam nahi hai...

aur is orphanage par yahan rehne waale har bacche ka hak utna hi hai jitna mera aur MARIA ka hai...

isiliye dobara aisi baat aapke man me aur aapke zuban me nahi aani chahiye...


FLORIN ne warden ki baat kaatethe hue apni baat puri ki jisse sun warden bas itna hi bol paaye..


WARDEN-sorry sir...mai dhyan rakhunga..now can i take ur leave??


FLORIN ne apne sir ko halki si jumbish di jiske baad warden wahan se chale gaye aur wahan reh gaye FLORIN jinke zehen me ab bhi meri kahi baatein hi hunj rahi thi....

FLORIN-jab nahi bolta toh bilkul nahi bolta...par agar bolne par aa jaaye toh saamne waale ko bolne laayak nahi chhodta....

kya mai kabhi is bacche ko samajh bhi paaunga....!!!!


AKHIR KYA HO TUM RAAZ....??????







AAJ KE LIYE ITNA HI.....
 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF ALAG ALAG JAGAH PAR KUCH LOG VARTAMAN , BHAVISHYA AUR SAHI WAQT KI BAATIEN KAR RAHE HAIN WAHIN DUSRI TARAF RAAZ KE BOARD EXAMS SHURU HO GAYE HAIN...


AB AAGE:-





UPDATE-7





PLACE-ALFREEN ORPHANAGE






MAI DEKH RAHI HUN AAJ KAL AAP KABHI MOBILE ME TOH KABHI LAPTOP ME KUCH ZYADA HI KHOYE HUE REHTE HAIN.....


subah ka waqt hai... FLORIN orphanage ke lawn me baithe kaafi der se apne phone ko haathon me le ussi me khoye hue the....

aur ye sirf abhi ya fir ye kahun aaj ka hi haal nahi tha..kuch dino se lagatar FLORIN yunhi apni sochon me goom rehne lage the aur ye baat unki patni see chhupi nahi thi...

par unhone abhi se pehle tak FLORIN se is baare me kuch bhi nahi kaha tha

but abhi morning tasks complete kar wo baahar aayin toh apne husband ko fir waise hi haath me mobile liye sochon me goom dekha toh is baar unhone baat chhed hi di...

wahin apni wife ki awaaz sun FLORIN ek jhatke me apni soch se baahar aaye aur muskurate hue...


FLORIN-aap kab se hum par shak karne lagi!!!!

MARIA-maana aap baaton ko ghumane me expert hain but humpe aapka ye hunar kaam nahi aane waala....

us raat RAAZ ke bed par jo alphabets ke scratches dikhe the,unhi ke baare me soch rahe hain naa aap pichle kuch dino se....

FLORIN-jab aapko pata hai toh fir sawal kyun???

MARIA-bas aise hi...dekhna tha aap sidhe sidhe batate hain ki nahi....aur aapne

FLORIN- nahi bataya...


MARIA ke baat ko FLORIN ne pura kiya...


MARIA-as usual....aapko har problem akele hi solve karne ki aadat jo hai...

but ek baat bataiye,is baar toh problem jaisi bhi koi cheez nahi hai...fir itni chaan been kyun???

i mean wo jo alphabets bane the,unka koi matlab ho,ye zaroori bhi toh nahi..

humne dekha toh tha ki RAAZ ki body kitni vibrate ho rahi thi..aise me uske nails se scratches ban gaye honge...

FLORIN-Nahi MARIA..its not as simple as it looks...pehli baat toh wo alphabets nhi words the jinse koi na koi sentence zaroor banta hai....

aur us sentence ka koi deep meaning bhi zaroor hoga...

MARIA-and what makes you so sure about that???

FLORIN-RAAZ....kuch toh hai is bacche me jo naa toh normal hai aur naa hi common..he is very very different...

tum khud ek baar rewind me jaakar uski history dekho...

minus celcius me ye hume ek tokre me milta hai...itni kam degree me ek new born baby ka 2 minute bhi survive karna impossible hai but ye normal tha....

fir hume uske tokre se ek paper milta hai jispar kisine uska naam likh chhoda tha..aur naam kya likha tha??? RAAZ...!!!i mean koi kisika aisa naam kyun rakhega...???

aisa nahi hai ki is naam ke aur bache nahi hain,but fir bhi ek bacche ko jisse chhod diya gaya ho,uska bakayada naam karan karkar chhodna,ye normal nahi hain...

uske baad ye baccha bada hone laga..but apne naam ko matlab dete hue bilkul ussi ki tarah raha hai he ladka...

kisi bhi chiz me ruchi nahi hai iski, behaviour bhi ek RAAZ ki tarah hi hai,yahan tak aaj tak ek bhi exam aone dum par clear nahi kiya isne...

aisa lagta hai maano iska life me koi aim hi nahi hai...aisa baccha jisne kabhi kisi se communicate bhi nahi kiya ho, usse kisi bhi tarah ke tark ki ummid bhi nahi ki jaa sakti...

but iska case toh ulta hai..ye nahi bolta toh nahi bolta,but agar bole toh fir koi aur bolne laayak nahi rehta...

wo 3 din pehle ki baat yaad hai naa jo maine batayi thi???

MARIA- haan wo warden waali naa...!!!

FLORIN- haan wahi...jo baatein RAAZ ne kahi,maine aisi baatein,and more importantly, aisi soch uski umar ke bacchon me kabhi nahi dekhi hai.....

itna intellectual dimag,aur koi passion nahi..ye kaise ho sakta hai???

MARIA-usse bhi wierd mujhe ye laga ki jo baccha kabhi books ko chhuta bhi nahi hai,usne holy books ki itni deep baatein kahan se jaan li....

FLORIN-thats my point...is bacche me kuch na kuch toh zaroor hai jo aabse alag hai...aur isiliye hi mai guarentee ke saath keh sakta hun ki us raat uske nails ne jo bhi likha,uska koi naa koi matlab zaroor hai....

MARIA-but main question toh wahi hai....KYA???kya matlab chhupa hai un writings me....

jahan tak mujhe pata hai aapne abhi tak saare decoders try kar liye honge,even world me kahi jaane waali saari languages se bhi un words ko match karkar dekh liya hoga....!!!

FLORIN-haan,wo sab toh kar liya hai,but no result....

MARIA-toh fir ab!!!!

FLORIN-ussi ke baare me toh soch raha tha...dekhte hain,kahin se koi hint toh zaroor milegi...


FLORIN ki baat par MARIA kuch kehne hi waali thi ki tabhi unke paas se guzarta hua mai school ki taraf nikal gaya jisse unka topic change ho gaya...


MARIA-aaj iska second paper hai..i hope is saal ye paas ho jaaye....

FLORIN-i hope so too...waise mai soch raha hun ki ek baar jaakar khud check kar lun...

MARIA-mai bhi yahi kehne waali thi....infact aaj hi chale jaana...

FLORIN-sure...mai shower le leta hun...

MARIA- thik hai...mai tab tak kitchen ke samaan ki list bhi warden ko de aati hun...

FLORIN-alright....


ye bol dono nikal gaye...chaliye jab tak FLORIN school pahunchte hain,hum kahin aur se hokar aa jaate hain...

but usse pehle ye jaan lijiye ki FLORIN kya check karne ki baat kar rahe hain....

pehle ki tarah board exams ke papers check hone ke liye ab central board ke paas nahi jaate the balki baaki classes ki hi tarah ye papers bhi examination centres waale school me hi check hote the..

but unhe check karne waale teachers dusre centres ke hote the...

par jis school me RAAZ padhta hai,us school ke principal board exams ke committee ke chairman hain aur hamare FLORIN,ussi school ke head trustee hain...

aur main baat,us school ke principal ko FLORIN ke recommendation par hi central board ka chairman banaya gaya hai...

isiliye FLORIN principal se keh bas ek baar RAAZ ke likhe papers dekhna chahte the aur isiliye hi wo aaj school jaa rahe hain...

ab dekhte hain,school me unhe RAAZ ka paper dekhne ko milega ya fir kuch aur......!!!!!





PLACE-TONGASS NATIONAL FOREST





SHIT....LAG RAHA THA IS BAAR KAAMIYAB HO HI JAAUNGI PAR AAKHIR YE HAI KYA JO MUJHE AAGE JAANE SE BAAR BAAR ROK DE RAHA HAI....

IS BAAR TOH LAG HI RAHA THA KI KUCH NAYA DIKHEGA,BUT FIR SE WAHI.....


subah ka waqt hai... apni gufa ke baahar MAHI dhyan ki mudra me baithi thi...

mudra isiliye kyunki dhyan uska toot chuka tha...aut ye pehli baar nahi hua tha jab uska dhyan toota tha...

ab toh ginti bhi yaad naa rahi ki MAHI ka najaane kitni baar dhyan toota hai...

aur issi baat se wo frustrate ho rahi hai....par aakhir MAHI dhyan me baithi hi kyun hai aur wo wajah kya hai jiski wajah se uska dhyan toot raha hai....

aayiye pehle is baare me jaan lete hain....waise pehle ye jaan lijiye ki MAHI bachpan se hi dhyan lagati aa rahi hai...

wo AWAAZ jisne MAHI ko lagatar books laa kar diye hain,bachpan me hi usse us awaaz ne dhyan lagane ke liye MAN SHAKTI naam ki ek book laakar di thi jisme meditation se judi kaafi jaankari thi...

MAHI ko shuru se hi ye kriya kaafi bhaayi thi aur isiliye usne us book ko padh meditation karna shuru kar diya tha...

MAHI ke dimag ke lagatar chalne ki wajah se meditation ne uski jaafi madad ki...
meditation process ke dauran mahi ka dimag naa sirf shaant rehta tha balki MAHI ki seekhi har cheez ko aur behtar banane me bhi madad karta tha...

jaisa ki maine bataya tha ki MAHI ka dimag MAHI ke neend me bhi active rehkar uski sikhi chizon ko perfect banane me laga rehta hai isiliye 3 raat pehle jo MAHI ke sapne me awaaz gunji thi, MAHI ke dimag ne us awaaz ki tarango ko apne andar store kar liya tha...

aur filhal MAHI dhyan me baith unhi awaaz ki tarangon se us awaaz ke shroth ko khojne ki koshish kar rahi thi...

waise filhal kehna sahi nahi hoga...kyunki jis raat wo awaaz MAHI ke kaano me gunji thi,uske agle din uththe hi usne dhyan me baith us awaaz ke baare me aur jaanane ki koshish shuru kar di thi..

par lagatar kayi baar koshish karne ke baawjud usse kuch haasil nahi hua...

par jo haar maan jaaye wo MAHI nahi ho sakti...aur isiliye....

apne man ko puri tarah se shaant kar MAHI ne ek baar firse apni aankhen band kar li aur....

tez roshni ke beech MAHI apne dimag ko shunya ki taraf le jaane lagi..

ye karna MAHI ke liye kaafi aasan tha kyunki wo ye bachpan se karti aa rahi thi...

roshni ke bhul bhulaiyon se guzarte hue MAHI ek aise bindu ki taraf jaane lagi jisse ye saari roshni faili hui thi aur kuch hi samay me wo us bindu k saamne thi...

ek chote se nukile point ki tarah dikhne waala bindu asal me MAHI ke dimag ka wo hissa tha jisme uske saath aaj tak ghati saari ghatnaon ka sangrah tha....

apni manzil ke shuruati point par pahunchte hi MAHI ka dhyan aur strong ho gaya aur aisa hote hi MAHI us bindu ke andar khinchi chali gayi..

us bindu ke andar pahunch MAHI uski yaadon ke har khaachon ko dekhne lagi aur dekhte dekhte usse ek alag tarah ki urja ka abhaas hua..

ye wahi urja thi jo MAHI ne us raat sapne me aaye AWAAZ se mehsoos ki thi...

us urja ko dekh MAHI uski taraf badh gayi...aur kuch hi palon me MAHI us urja ke andar thi..

jaise mastishk me roshni hoti hai,waisi hi kuch roshni us urja me bhi thi but ye roshni apne andar behad taakat samete hue thi jo MAHI saaf mehsoos kar paa rahi thi...

dheere dheere MAHI us roshni numa urja me khoti hui aage badhti chali gayi..

par jaise jaise MAHI aage badh rahi thi,usse aisa lag raha tha maano koi usse piche dhakka dene ka prayas kar ho...

aur yahi wo wajah thi jiski wajah se MAHI ka dhyaan lagatar tutatha aa raha tha but is baar MAHI ka nishchay atti dridh tha....wo apne pure dhyan ko ek jut rakh bina concentration ko tutne diye dheere dheere hi sahi but aage badhti gayi...

aur dekhte hi dekhte MAHI us point ko paar kar gayi jisse wo ab tak aage badh nahi paayi thi...

aur yahi wajah thi ki ab wo urja,wo roshni behad ugra ho gayi thi...aisa kag raha tha maano agar MAHI aise hi aage badhti rahi toh wo urja phat padegi....

par in saari baaton se anjaan MAHI aage badhti chali gayi..uske dimag ki nason me tanav dikhne laga tha par ye MAHI ki zidh hi thi jiski wajah se sab kuch jhelta hua uska dimag abhi bhi dhyan me hi tha...

par us urja ka tej bhi lagatar badhta hi jaa raha tha aur isiliye hi ab MAHI ke mastishk ke nason me sujan dikhne lagi thi...

ab situation ye thi ki yaa toh MAHI apni koshish me kaamiyab ho jaayegi yaa fir uska dimag fat jaayega...

aur shayad in dono me se koi ek chiz ho hi jaati ki tabhi....


MAHI................


ek tez dahad si awaaz MAHI ke dimag me gunji aur aisa hote hi MAHI ek jhatke me dhyan se baahar aa gayi....

par MAHI ka dimag itni urja ke pressure ko jhel nahi paaya jiski wajah se MAHI behosh ho chuki thi........





PLACE-SCHOOL OF RAAZ





how are you doing principal sir????

principals cabin ke andar aate hue FLORIN ne ye baat kahi jisse sun principal jo ki kuch padh rahe the,unki nazar saamne khade FLORIN par padi...

(role nahi hai principal ka isiliye naam nahi likh raha)


PRINCIPAL-arre FLORIN sir..aap yahan???what a pleasant surprise....waise agar aapne kaha hota toh mai apke paas aa jaata...

FLORIN-kyun mai yahan nahi aa sakta kya???


FLORIN samne rakhi chair par baiththe hue bole...


PRINCIPAL-ofcourse u can sir...after all its ur school...toh pehle bataiye,kya mangwaun??? coffee aur some thing else...!!!

FLORIN-no formalities needed sir...aap bataiye,kaise chal raha hai school???

PRINCIPAL-its good sir, actually very good..last year acadamic competition ke base par hamara school pure ROMANIA me 5th position par tha,par is baar hum 2nd position par hain...

FLORIN-wow,thats really impressive...


FLORIN ko baat ghumakar karne ki aadat thi nahi isiliye...


FLORIN-acha ye bataiye, how are the exams going???

PRINCIPAL-great sir...sab smoothly ho jaayega...

FLORIN-great..and what about RAAZ???wo paper properly de raha hai naa!!i mean likh raha hai naa,answer sheet blank toh nahi chhod de raha hai....!!!!

PRINCIPAL-sir mai toh rounds par jaata nahi isiliye no idea...but i hope ki wo is saal toh likh raha hoga...!!!

FLORIN-can i see his last papers sheet???

PRINCIPAL-sir sheets toh saare roll numbers ke according lockers ne rakh diye jaate hain..checking fir ek saath hoti hai isiliye....

aur lockers ki safety ke liye unki keys bhi kisi specific appointed faculty member ke paas hi hogi...

but haan,aaj ke papers abhi just hi khatm hue hain..agar unhe lockers me rakha naa gaya ho toh mai check karwa sakta hun???

FLORIN-mai yahin baitha hun???


FLORIN ki baat ka matlab samajh PRINCIPAL turant utha aur baahar ki taraf nikal gaya,wahin principal ke jaane ke baad FLORIN apna mobile nikalkar dekhne lage....


KUCH DER BAAD:-


sorry sir, actually aaj ke papers bhi lockers me daale jaa chuke hain.. toh filhaal toh papers nahi nikal sakte but agar aap kahen toh next paper ke waqt mai nikalwa lunga.

wapas apne cabin me ghuste hue principal ne kaha jisse sun


FLORIN-mai aapko call kar lunga...


uththe hue FLORIN ne kaha...


PRINCIPAL-sure sir...sir ek baat puch sakta hun???


FLORIN jaane ke liye palte hi the ki tabhi principal ne ye kaha jisse sun FLORIN ruk gaye...


FLORIN- kahiye???

PRINCIPAL-aapko ENOCHIAN padhni aati hai???

FLORIN-ENOCHIAN!!!ye kya hai???

PRINCIPAL-sorry sir,but jab mai andar aaya tab aap mobile me ek pic dekh rahe the,toh galti se meri nazar us pic par padh gayi...isiliye mai aapse puch baitha....


principal ki baat sun FLORIN ko laga jhatka....

FLORIN ne turant apna mobile lock open kar RAAZ ke naakhun se likhi likhawat waali pic nikaali aur usse principal ke saamne kar pucha...

aap iski baat kar rahe hain..!!!


PRINCIPAL-jee sir,ye ENOCHIAN language hai....

FLORIN-ENOCHIAN language...!!!ye kahan boli jaati hai...???maine toh saare present aur yahan tak ki dead languages bhi check kiye net pe,par wahan toh maine is ENOCHIAN language ke baare me kahin bhi nahi padha...

PRINCIPAL-wo isiliye sir kyunki ye language humans ki hai hi nahi...

FLORIN-i didn't understand..matlab???

PRINCIPAL-matlab ye ki ENOCHIAN ANGEL'S LANGUAGE hai...kaha jaata hai ki ANGEL'S is language me baat kiya karte hain....


(APNE MAN SE NAHI LIKHA HAI GUYZZ.. THERE'S ACTUALLY A LANGUAGE CALLED ENOCHIAN JISKE BAARE ME KAHA JAATA HAI KI YE EK ANGELS LANGUAGE HAI...CHAHO TOH GOOGLE KAR LO)


PRINCIPAL-actually mujhe mythology me kaafi interest hai..mere paas mythologies ki kaafi books bhi hain,wahin maine aisi writings dekhi hain aur iske baare me bataya bhi gaya hai...

principal ki baatein sun FLORIN ke dimag me dhamake ho rahe the...unhe zara bhi andaza nahi tha ki aisa bhi kuch hoga....

jab FLORIN bina kuch kahe ek tak sunya ko ghurte hue chup chaap baithe rahe toh....


PRINCIPAL-kya hua sir??are u all right????


FLORIN ke haath ko halka hilate hue principal ne kaha tab jaakar kahin FLORIN wapas present me aaye...


FLORIN-haan!!!haan,i am fine...bas wo kuch yaad aa gaya tha..

PRINCIPAL-ok..waise sir, ye writings aapko kahan mili???


ab FLORIN usse sach toh bata nahi sakte the isiliye,


FLORIN-wo kahin likhi hui dekhi thi maine.. interesting lagi toh photo click kar liya tha...

waise kya aapke paas is ENOCHIAN language ki koi alphabetical book hai...

PRINCIPAL- book toh nahi hai but haan, ENOCHIAN alphabets ke english translation ka ek page hai mere paas...


principal ki baat sun FLORIN khush ho gaye....

FLORIN-can you show me...??

PRINCIPAL-of course,why not sir???


ye bol principal uthe aur paas hi rakhe ek daraz ke paas jaakar khade ho gaye...

wahan kuch books rakhi thi jo different mythologies par based thi...

unhi me se ek book nikal uske beech ke panno me se unhone ek page jo alag se rakhi hui thi wo nikali aur.


PRINCIPAL- here we go sir...ye rahi wo page....


principal ne FLORIN ke aage ek page dikhaya jisse FLORIN ne turant le liya...


FLORIN chahte toh us page ko ghar bhi le jaa sakte the but curiousity itni thi ki unse control nahi hua aur wo wahi par rakhi ek plain page aur pen utha ENOCHIAN to English translate karne me lag gaye....

aur kuch hi seconds me translation puri ho chuki thi...par translation hone ke baad bhi FLORIN thode confused se dikhe jisse shayad principal bhaamp gaye.....


PRINCIPAL-sir ENOCHIAN language ko left se right nahi balki right se left padha jaata hai....


ye ek nayi baat thi..ek baar principal ko dekh FLORIN ki nazar wapas apne translate kiye page par padhi aur is baar jaise hi unhone proper translate kiya toh unhe fir ek jhatka laga....

bina kuch kahe FLORIN khade hue aur chupchaap principal ke cabin se nikal gaye bina ye dekhe ki principal unki haalat dekh muskura raha tha....

aur jaise hi FLORIN baahar nikle,uske agle hi minute koi us cabin ke andar aaya...

par...arrreee ye kyaaaaa,ye toh PRINCIPAL hai...fir jo banda FLORIN se baat kar raha tha aur jo is waqt pehle hi andar baitha hai.....wo....arree ab ye kya hai ???andar toh koi hai hi nahi..jo baitha tha,wo principal toh gayab ho chuka tha......

wahin in sab se alag FLORIN thage se chup chaap bahar nikalte chale gaye the...

unke dimag me baar baar wo shabd gunj rahe the jo ab translation ke baad clear ho chuke the...

but ab problem ye thi ki FLORIN jisse jawab samajh rahe the wo toh ek naya sawal nikla ye fir ye kahun ki ek PAHELI nikli....

FLORIN ne ek baar firse us paper ko dekha jispar ENOCHIAN ka english translation tha aur unke mooh se apne aap wo shabd,wo translation nikal gayi....



UNFOLD.....THE ......RAAZ........


(NAME OF THE FIRST CHAPTER)







AAJ KE LIYE ITNA HI.....
 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF MAHI KA DIMAG ATYADHIK PRESSURE NAHI JHEL PAATA JISKI WAJAH SE MAHI BEHOSH HO JAATI HAI WAHIN DUSRI TARAF FLORIN KO ENOCHIAN BHASHA ME LIKHE WAKYA KA MATLAB PATA CHAL JAATA HAI...


AB AAGE:-




CHAPTER-1




(UNFOLD THE RAAZ)




UPDATE-8





PLANET- EARTH



PLACE-ALFREEN ORPHANAGE





IS WAQT YAHAN KYA KAR RAHE HO????


ye awaaz MARIA ki thi...MARIA kaafi der se FLORIN ko dhund rahi thi par jab wo baaki jagah par nahi mile tab wo RAAZ ke room ki taraf aayi jahan unka shak sahi saabit hua kyunki FLORIN RAAZ ke room me hi the aur uske books ko check kar rahe the...


MARIA-ab ye kya kar rahen han aap??camaras toh install kiye hain fir khud aakar check kyun karna padh gaya aapko????


ek hafte se upar guzar chuka tha us wakiye ko jab FLORIN ko un ansuljhe alphabets ka matlab samajh me aaya tha...

ENOCHIAN LANGUAGE...yahi tha wo language jisme RAAZ ke naakhun ne un alphabets ko likha tha...

wapas orphanage pahunch kar FLORIN apne room me jaa apna sir pakad kar baith gaye the...

us shock ka asar ab tak unke dimag se utra nahi tha aur shayad itni jaldi utarne waala bhi nahi tha...

waise baat koi mamuli bhi toh nahi thi.... FLORIN ke khayalon ke aakhri chhor ne bhi aisa nahi socha tha ki jis code numa alphabets ka matlab wo janana chah rahe the,wo kuch aisa niklega....!!!!

wo apne sir par haath rakh yunhi apni sochon me goom the aur shayad aage bohot der tak rehne bhi waale the but tabhi unki wife MARIA room me pahunchi aur jab unhone apne pati ko yun chehre par chinta liye gehri soch me dooba paaya toh unhe bhi shock laga..

aur wo shock 440 volt ke jhatke me tab badla jab unke pati FLORIN ne unhe apni soch ka kaaran bataya...

jab MARIA ko RAAZ dwara likhe alphabets ka matlab aur un alphabets ke language ke baare me pata chala toh unka dimag bhi chakra gaya...

unki condition bhi same unke pati ke jaisi ho gayi.....us pure din shanti ne dono ke beech ek adrishya deewar ko banaye rakha....

par fir agle din MARIA ne aage kya karna hai,iske baare me FLORIN se pucha tab FLORIN ne kaha ki unhe RAAZ ke upar 24 hours nazar lagaye rakhna hoga kyunki jo bhi chiz in sabke piche chuppi hai,wo RAAZ ke through hi saamne aa sakti hai aur isiliye jab shaam ko RAAZ lake side baitha hua tha aur uske room mates bhi room me nahi the tab FLORIN ne chupke se RAAZ ke room me ek safe jagah dekh kar camaras install kar diye taaki apne room me baith wo lagatar RAAZ ki harkaton ko dekh saken..

aur ussi camera ki baat MARIA kar rahi hain....


FLORIN- itne din beet chuke hain,camaras install kiye but sab toh normal hi lag raha hai..

RAAZ ke taraf se kuch bhi abnormal ya unusual activity nahi dekhi hai humne isiliye socha ki ek baar khud aakar dekh lun...

MARIA-toh kuch pata chala???

FLORIN-nahi...socha books check kar leta hun...

shayad books ke andar kuch likh kar ya koi hint rakha ho but ye dekho uske books...

dekhkar lagta hai mai pehla hun jisne isse khola hoga....aisa laga hai jaise abhi abhi books depo se fresh uthakar laaye gaye hain....


ek thandi saans chhodte hue FLORIN ne kaha...

FLORIN ki baat sun pehle toh MARIA muskurayi par for unhe ek idea aaya....


MARIA-wo language....kya naam tha???haan, ENOCHIAN...uske baare me pata karo...shayad koi nayi baat saamne aaye!!!

FLORIN-jitna pata kar sakta tha, already pata kar chuka hun....but fir bhi UNFOLD THE RAAZ....is phrase se koi link connect nahi kar paaya hun...

MARIA-hmm..but strange hai naa,ki aisi bhi koi language exist karti thi,aur logon ko iski knowledge bhi nahi hai...

FLORIN-haan,ye toh hai aur wo bhi tab jab isse judi baatein itni interesting hai...

MARIA- interesting matlab!!!

FLORIN-maana jaata hai ki jab GOD ne duniya ka nirmaan kiya toh issi ENOCHIAN language me aisa hone ke liye order diya tha...

ye bhi kaha jaata hai ki is language ko antediluvian language bhi kaha jaata hai...

kehte hain ki kyunki pehli baar ye language GOD ke awaaz se nikli thi isiliye jab bhi GOD ke angels is language me baat karte the,tab un sab ke visual forms aur sound waves se ek energy nikalti thi jo ki pure universe se bhi zyada strong thi isiliye zyada tar ANGELS aisi jagah par hi baat karte the jahan kayi lights door tak bhi koi living planet naa ho...

MARIA-you mean hamare earth ko chhodkar bhi living planets hain!!!???

FLORIN-is book ke hisab se chalen toh yes..but ye hamare concern ka matter nahi hai...

hume toh bas is language ka us phrase se connection dhundna hai...

MARIA-aur mujhe lagta hai ki ye hume khudse toh milne waala hai nahi...

FLORIN-and why do u say that???

MARIA-kyunki jo tumhe already pata chala hai,ye ENOCHIAN language..ye bhi tumne khud nahi dhunda hai...

kahin aur se pata chala hai..socho ki agar us din tum principal sir se nahi mile hote,toh shayad is baare me hum kabhi bhi nahi jaan paate..

isiliye meri maano,toh ab iske baare me sochna chhodo....agar iske baare me pata lagna hoga,toh kisi naa kisi zariye se hume pata chal hi jaayega...


MARIA ki baat sach hi thi..aur isiliye....


FLORIN-i think u are right...mujhe bhi lagta hai,iske baare me aur sochne ka koi matlab nahi hai...jab pata lagna hoga lag jaayega...

MARIA-exactly....chalen...

FLORIN-chalo...


apne saare vicharon ko jhatak MARIA aur FLORIN RAAZ ke room se nikal corridor se hote hue apne room ki taraf nikle hi the ki....


WARDEN-sir,school se principal sir aayen hai..aapse milna chahte hain...

MARIA-principal...aur wo bhi is waqt???

FLORIN-chaliye, hum aate hain...


warden apne room ki taraf nikal gaya wahin FLORIN MARIA ke saath apne cabin ki taraf chal pade jahan principal ke roop me ek naya sawal unka intazar kar raha tha...

ek aisa sawal jo bohot jald unke saare sawalon ke jawab me badalne waala tha....



WAHIN DUSRI TARAF:-



TONGASS NATIONAL FOREST




HATH,ZIDH JAB MASTISHK PAR HAAWI HO JAATA HAI,TOH PARINAAM BHI UTNA HI BHAYANKAR HO JAATA HAI...

LAKSHYA PAR PAHUNCHNE KI CHAAH GALAT NAHI,PAR USKE LIYE WAQT KE SAATH CHEDCHHAD BHI SAHI NAHI....


behosh padi MAHI ke saamne is waqt koi khada tha jiske chehre ko toh padha nahi jaa sakta tha par uski aankhon me MAHI ke murchit sharir ko dekh dard saaf jhalak raha tha....ye koi aur nahi ussi awaaz ka swami tha jisne MAHI ke gyan ko badhane me bachpan se lekar ab tak uski madad karta aaya tha...


AWAAZ-tumpar krodh karun yaa garv....

krodh is baat ka ki jis awaaz ke shroth ko tum khoj rahi thi,us awaaz ki swamini,aur uske kahe gayi baatein,sab ka pardapran hone hi waala tha,phir bhi tumne usse khojne ki koshish ki....

aur garv isiliye kyunki mastishk ke jis chakshayu tak pahunchne ka marg band kar diya gaya hai,tum apne asli jeeven me kadam rakhne se poorv hi wahan tak pahunch gayi jo ki durlabh hai...

bhale hi niyati ne tumhari manzil pehle hi tay kar di hi, par tumme wo sahas hai jo niyati ka rasta bhi mod de.....

tumhe yun dekh acha toh bilkul nahi lag raha..hriday kehta hai ki tumhari chetna tumhe louta dun par mastishk aisa nahi chahta...

kyunki uththe hi tum bina ruke fir wahi jaane ki koshish karogi jahan filhal tum pahunch nahi sakti...

isiliye......


us awaaz ke maalik ke mooh se ek roshni nikli aur sidhe MAHI par padi...

MAHI jo apne gufa ke baahar hi behosh padi hui thi,us roshni ke uspar padhte hi uska sharir hawa me utha aur gufa ke andar chala gaya jahan pehle hi narm gadde biche hue the...

us roshni ne MAHI ko ghere usse us gaddhe ke upar leta diya...


AWAAZ-tumhari chetna ab ussi din khulegi jis din tumhara naya safar shuru hoga jahan tumhare man me ufante saare prashno ko unka uttar bhi milega...



TAK TAK KE LIYE ALVIDA......





PLACE-ALFREEN ORPHANAGE



HELLO PRINCIPAL SIR....


cabin me ghuste hi FLORIN ne principal ko gesture diya jo ki saamne chair par baithe the...


PRINCIPAL-hello sir..hello ma'am...

MARIA-hello......

FLORIN-baithiye...


principal se baari baari haath milane ke baad FLORIN aur MARIA saamne rakhi revolving chair par baith gaye....


FLORIN-sabse pehle bataiye kya lenge aap???

PRINCIPAL-thanks for asking sir but filhal nothing. thodi der pehle hi chaay pi hai.

FLORIN-waise maaf kijiyega,us din jo info aapne di uske liye mai aapko
bina thanks kahe hi chala gaya tha..actually kuch bohot important kaam yaad gaya tha....

PRINCIPAL-kis din ki baat kar rahe hain???

FLORIN-arre wo ek hafte pehle mai school aaya tha aur aapne mujhe ENOCHIAN language ke baare me bataya tha naa..uske liye thanks...

PRINCIPAL-3 din pehle...par sir mai toh aapse aaj 2 months ke baad mil raha hun...

last baar hum school ke annual function me mile the jo 2 months pehle hua tha...


ab ye laga FLORIN aur MARIA ko ab tak ja sabse bada jhatka....aankhen fade,chehre par avishwas liye wo dono kabhi principal ko dekhte toh kabhi ek dusre ko...

principal ke liye bhi FLORIN ki baatein shocking thi...


PRINCIPAL-kya hua sir????are you ok....

FLORIN-ye aap kya keh rahe hain???!!!hum kuch dinpehle hi toh mile the...

mai aapke paas RAAZ ke answer sheet dekhne ki request karne ke liye aaya tha aur aapne kaha tha ki saare answer sheet specific roll number ke according lockers me rakhe jaate hain aur check karne ke liye last me ek saath nikale jaate hain...

fir aap bahar bhi gaye,ye dekhne ki agar us din ke papers lockers me nahi rakhe honge toh aap RAAZ ke us din ke answer sheet ko le aayenge mujhe dikhane...

but fir aakar aapne kaha ki answer sheet lockers me rakhe jaa chuke hain...

aur fir aapne mere mobile me ENOCHIAN language ki pic ko dekh uski info di...


ab jhatka lagne ki baari principal ki thi....usse toh kuch samajh me hi nahi aa raha tha ki FLORIN aakhir kya baat jo ki uske liye bakwaas hi tha, kiye jaa rahe hain...


PRINCIPAL-but sir hum toh aaj 2 months ke baad mil rahe hain...aur rahi baat answer sheets ki toh haan unhe lockers me hi rakha jaata hai but unki keys mere paas hi rehti hai and as boards head, mai jab chahun usse khulwa sakta hun...

agar aap mujhse mile hote aur aapne mujhe RAAZ ke papers dekhne ki baat kahi hoti toh ye mai kisi bhi situation me aasani se kar sakta tha...

infact mere abhi yahan aane ka main reason bhi yahi hai.... RAAZ ke papers ki chinta mujhe bhi bohot hai kyunki hamare school ka board result hamesha hi 100 percent aata raha hai but RAAZ ki wajah se is baar ye record kharab ho sakta hai,is baat ka mujhe dar tha...

maine kayi baar socha ki uske papers ko check karun but har baar kuch naa kuch kaam nikal aata tha jiski wajah se mai aisa nahi kar paa raha tha....

but aaj last exam tha toh maine RAAZ ke class ke invigilator se pehle hi keh diya tha ki exam ke baad RAAZ ki sheet mere paas lekar aaye...

aur jab RAAZ ki sheet mere haath me aayi toh mujhe shock toh laga hi par saath hi mai bohot upset bhi ho gaya....


aadhe adhure concentration ke saath MARIA aur FLORIN principal ki baat sun rahe the..unka aadha dhyan toh principal ke diye jhatke par hi atka hua tha...

but jaise hi principal ne shock aur upset hone ki baat ki toh dono hi apne vartaman me puri tarike se wapas aa gaye aur....


MARIA-matlab???

PRINCIPAL-matlab aap khud hi dekh lijiye...


ye bol principal ne apne suitcase khola aur usme se sheets nikalkar FLORIN aur MARIA ke saamne rakh di...

ye aur kuch nahi RAAZ ke answer sheets the jisse dekhne le baad wo FLORIN aur MARIA ko dikhane ke liye laaye the....

wahin jaise hi FLORIN aur MARIA ne us sheet ko dekha ya fir ye kahun ki sheet me jo likha hua tha,usse dekha toh unhe fir jhatka laga...

aisa jhatka jisne unke dimag ko hi puri tarike se ghuma diya tha...kabhi wo sheet ko dekhte,aur kabhi saamne baithe principal ko...

unhe ye bhi samajh aa gaya tha ki principal sir ek saath shocked aur udaas dono kaise ho gaye the....

darasal sheet par jo likhawat thi wo english alphabets me bas likhi gayi thi but wo english nahi thi.. English kya wo koi bhi known language nahi thi...

ajeeb tarah ki spellings ke beech words me gap laga sentence me badla gaya tha.....thik waisi hi jjaise ENOCHIAN language ki hoti hai.....

aur yahi wajah thi principal ke shock hone ki..aur rahi udaasi ki baat toh jo kuch bhi likha hua tha uspar sirf research hi kiya jaa sakta tha but numbers toh milne se rahe......


PRINCIPAL-neeche RAAZ ke baaki ke papers bhi hain...

principal ki baat sun FLORIN ne jab us sheet ke neeche ke sheets ko dekha toh fir wahi hua..SHOCK.....

sabme same alphabets jo ki ek language hi thi,likhi gayi thi....


PRINCIPAL-unfortunately RAAZ ki wajah se is saal hamare school ka record kharab ho jaayega....


ab record ki fikr sirf principal ko hi thi, FLORIN aur MARIA ka dimag toh is naye guthi me ulajh gaya tha....

par filhal un dono ne waise bhi principal ke saamne kaafi react kar diya tha isiliye....


FLORIN- sorry sir..humare orphanage ke bacche ki wajah se aapke school ka record kharab ho raha hai....


PRINCIPAL- arre sir, isme aapki kya galti...afsos toh RAAZ ko hona chahiye..anath hone ke baawajud itni achi guidence,itni achi opportunity thi uske paas ek achi life banane ke liye,but agar wo hi serious nahi hai toh koi kya kar sakta hai???


saare sheeta ko sameththe hue principal ne apni baat kahi...


FLORIN-agar aapko sahi lage toh kya mai kisi ek sheet ki pic le sakta hun...???

RAAZ-ofcourse..le lijiye..agar board exams ke sheet nahi hote toh mai pura sheet hi aapko de deta...

FLORIN-thanks...


ye bol FLORIN ne sheet ki ek pic le li....


PRINCIPAL-ok sir..i will take your leave...


RAAZ ki is nayi ajeebo garib harkat ki wajah se FLORIN ki kahi gayi pehle ki baatein principal filhal bhul chuka tha...

FLORIN aur MARIA ko bye keh wo nikal gaya... par jaise hi principal baahar nikla,ek adrishya roshni uske dimag par padi jisse uske dimag se FLORIN ki usse kuch din pehle milne waali saari baatein bhi nikal chuki thi...

wahin principal ke jaane ke baad kuch der tak us cabin me shaanti bani rahi...

FLORIN aur MARIA dono hi apne apne khayalon me goom se the...

jahan ek taraf FLORIN is nayi gutthi ke baare me soch rahe the,wahin MARIA ke dimag me toh RAAZ ke orphanage me aane ke baad se aaj tak ki saari ghatnayen flashback me ghumne si lagi jiski wajah se unke man me ek anjaana se dar ne ghar kar liya tha..


MARIA-FLORIN...mujhe dar lag raha hai...


MARIA ki baat sun FLORIN apni soch se baahar aaye aur jab unhone MARIA ka halka dara hua chehra dekha toh...


FLORIN-hey,kya hua???dar kyun rahi ho???


side se hug karte hua FLORIN ne kaha....


MARIA-darne ki hi toh baat hai naa FLORIN...ye ladka hai kya chiz....??ajeeb si haalat me hume milta hai,apne me hi khoya rehta hai,neend me isse jhatke lagte hain....

angels ki bhasha likhta hai ye aur wo bhi unconsciousness me aur aaj phir kuch naya likh raha hai....


FLORIN-MARIA ye baat ajeeb ho sakti hai but darne waali nahi...15 saalon se RAAZ yahan hamare saath hai,but aaj tak usne orphanage ke kisi bhi bache ke saath kuch galat nahi kiya...

aur naahi aaj tak uske yahan rehne se hume kuch hua hai..so relax...


FLORIN ki baatein bhi sahi thi.. RAAZ ki wajah se unhe kabhi koi dikkat nahi hui thi.... MARIA bhi FLORIN ki baaton ko sun kuch shaant ho gayi...


MARIA-par ab kya karen???is ladke ne toh apne board exams bhi kharab kar liye...

FLORIN-uske baare me baad me sochenge.. pehle ia nayi gutthi ko solve karna padega....


apna mobile nikal kuch der pehle khinchi pic ko dekh FLORIN ne kaha...


MARIA-isme dekhna kya hai....ye wahi ENOCHIAN language hogi...

FLORIN-pehle mujhe bhi yahi laga tha..but nahi...ye kuch aur hai....

MARIA-and how can you say that???


FLORIN ne kuch kaha nahi bus is nayi pic ko ENOCHIAN LANGUAGE wali pic ke saath merge karkar saamne rakh diya jisse dekh...

MARIA-arre haan,ye toh alag hai...

FLORIN-hmm..aur pata nahin kyun par mujhe lagta hai ki agar isse humne crack kar liya,toh sab kuch clear hota chala jaayega....

MARIA-par pehle ye toh clear ho....

ye bol FLORIN aur MARIA ki nazar ek baar firse mobile ki screen par atak gayi jahan kuch aisa likha hua tha....



IPCEEJ SRRPWM RMN HLGM,
FMI IMAMTR RMG MBZMMX TE CLRHN RMN...

SRNJHM CN RMG TMD CE WMCMD,MPG
MMTM MRMJM TMRMJ WMIRSRNAN RMM FLRHN RMN





 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF MAHI KE MURCHIT SHARIR KO WO AWAAZ MURCHIT HI REHNE DETI HAI WAHIN DUSRI TARAF RAAZ NE APNE BOARD EXAMS KE ANSWER SHEETS KO EK NAYI LANGUAGE SE BHAR DIYA HOTA HAI...


AB AAGE:-




CHAPTER-1


(UNFOLD THE RAAZ)



UPDATE-9



PLANET-UNKNOWN


PLACE-UNKNOWN




PRATISAMBHUDDA

RESTORE D CONSCIOUSNESS



SPELL bolne waale ke haathon se ek roshni nikli aur saamne ek bade se bed par lete shaksh ke mastishk me sama gayi aur aisa hone ke agle hi pal....

bed par lete shaksh ke body ko pehle kuch halke jhatke lage maano wo khudko thik kar raha ho aur uske kuch der baad us shaksh ne apni aankhen khol di....

sunya ko ghurti us shaksh ki aankhen aisi lag rahi thi maano khudko khudhi ke mastishk ke saath jodne ka prayas kar rahi ho..

khudko yakin dila rahi ho ki wo dekh sakti hai...aisa nahi tha ki ab se pehle wo aankhen drishtiheen thi, par jab aapka sharir,aapka dimag aur aapki aakhen bohot zyada waqt tak band rahe hon toh aisi maansikta hona swabhavik hota hai...

kuch der tak self processing karne ke baad us lete hue shaksh ke dimag ne reverse me jaana shuru kiya...

yaad karna shuru kiya ki ab se pehle aakhri baar kya kya hua tha...

uski aankhon ne kya manzar dekh khudko band kiya tha....

wahin in sabse alag us saksh ke saamne khade SPELL dharak jisne usse uski chetna loutayi thi,uske lab khamosh hi the.....

usse pata tha ki ek baar wo shaksh jiski chetna usne loutayi thi,normal hote hi uska reaction kya hoga!!!uske sawal kya honge aur khaas kar unke jawab usse kaise dene hain????

BOOMMMMMM...................

jhanaka sa hua bed par lete shaksh ke dimag jiske baad uska sharir ek jhatke me uth baitha....

chehre par hairani liye wo sththi ko samajhne ki koshish karte karte uski nazar usse kuch dur par khade dusre shaksh par gayi jiski nazarein uspar hi thi....

1ST-aap kaun???ye kaun si jagah hai aur mai yahan kaise???mai toh

2ND-shaant ho jaao...tumhare saare puche gaye aur tumhare mastishk me chal rahe sawalon ko jawab tumhe mil jaayega....

par sabse purv apne dimag ko sthir karo...kyunki iske bina meri kahi koi bhi baat tumhare samajh me nahi aayegi...

kehna aasan tha par jis haalat me 1st shaksh ka dimag tha,wo is waqt do bhaagon me vibhajit tha..

ek past aur ek present..aur dono hi situations itne weird the ki usse digest karna asaan nahi tha aise me dimag ko sthir rakhna bohot mushkil tha aur dimagi uthal puthal ki jaankari us shaksh ka chehra de raha tha jisme is waqt bohot zyada bechaini thi aur ye bechaini uske saamne khade shaksh se chuupi nahi thi....

2ND-tumhari haalat se anjaan nahi hun mai...par itne tez dimag ka yun hadbadana uchit nahi...

aur khaas kar tab jab humare beech aage hone waali baat behad pechida hai...

aisi baat jisme tumhare mastishk ka shaant hona anivarya hai...

saamne khade saksh ki baat kis aur jaa rahi thi,ye toh behoshi se baahar aaye shaksh ke palle nahi pad rahi thi par waqt beetne ke saath uska dimag shaant hone laga tha...

1ST-aapne bataya ki mere puche gaye saare sawal aur wo sawal jo aage puche jayenge,wo sab aapko pata hai.....toh fir bataiye saare jawab...par pehle ye bataiye ki aap hai kaun???

2ND-mera naam MARILIZA hai.....aur rahi baat tumhare man me chal rahe sawalon ke jawab ki toh uspar aane se pehle mujhe tumse maafi chahiye...tumhe is haalat me laane ke liye...

1ST-mujhe aapki kahi gayi koi bhi baat samajh ne nahi aa rahi hai...

MARILIZA-bas kuch der ki baat hai..sab samajh me aane lagega...

waise jawabon ki shuruat toh pehle prashn se hoti hai,kintu mujhe lagta hai ki hume aakhri paaydaan se shuru karna chahiye.....

1ST-i'm still not getting u....

MARILIZA-MAGIC me believe karti ho...

1ST- what???ye kaisa sawal hai???

MARILIZA-simple & straight.....

1ST-okay..magic....!!!u mean to say illusion,right....???

MARILIZA-nope..magic..pure magic...ek jagah se dusri jagah antardhyan matlab teleport hona...hawa se tez doudna.. apne se laakhon guna vazan ko ek ungli se utha lena...
hawa me udna and a lot of more stuffs...

MARILIZA ne toh apni baat keh di thi par wahin pehle shaksh ke chehre par abhi aise shaksh the jaise MARILIZA ka dimag hil gaya hai...

1ST-mujhe pehle hi samajh jaana tha...is this a mental assylum....!!!

MARILIZA-hahahahaha.......my bad...mujhe tumhe practical ke saath theory batani thi...

1ST-please kuch aisa bole jisme sense feel ho...

MARILIZA-chalo,khud dekh lo,fir sense khud hi dhund lena...

ye bol us shaksh ne apne kadam ek taraf badhaye wahin pehle shaskh ne kuch der tak MARILIZA ko ghura,par fir kuch soch uske kadam bhi us disha me ho liye...

kuch hi palon me wo dono us room ke left side par bane balcony par the...

2ND- saamne dekho....

uski baat sun pehle shaksh ne bina Ruchi ke hi sahi,saamne ki taraf nazar ghumayi..kuch der laga,par fir....

1ST-HOLY F****K......

uske reaction ko dekh MARILIZA ke chehre par muskaan aa gayi....

MARILIZA-kaisa laga mental assylum...???

MARILIZA ke taunt ka toh jaise uske saamne khade saksh par koi asar pada hi nahi tha....

uski nazarein toh saamne chal rahe scenes ko digest karne me laga hua tha...darasal hua ye ki balcony ke saamne kuch seconds pehle tak sirf garden dikh raha tha par fir MARILIZA ne apne man me kuch kaha aur uske aisa karte hi uske haathon se ek white ray nikli aur saamne hawa me ruki aur agle hi pal saamne ka drishya badal gaya aur jo scenes dikhe usse dekh MARILIZA ke peeche khade shaksh ka dimag hi ghum gaya....

kuch der tak aakhen faade saamne dekhte rehne ke baad....

1ST- ye sach nahi ho sakta...ye bas ek sapna hai..yaa, that's what it is...just a wild dream....

aaahhh...

ye dard bhari karah ussike mooh se nikli thi...reason...uske saamne ke drishya ko sapna kehne par MARILIZA ne uske kandhe ko pinch kiya tha...

MARILIZA-sapne aankh band kar ke dekhe jaate hain..aankhen kholkar nahi....

MARILIZA ki baat sun pehle toh saamne khade saksh ko yakin hone laga ki uske saamne ka drishya vaatav me hai,koi sapna nahi...

but MARILIZA ke sapne ke udaharan ko sunkar uske dimag me kuch aur bhi chal utha jisse yaad kar uske chehre par smile bhi aayi aur dard bhi aur ye dono hi bhaav MARILIZA ki aankhon se chhup nahi paaye....

MARILIZA-sapne wo nahi,jo neend me dekhe jaate hain.. sapne toh woh hain jo jab tak pure na hon,neend hi nahi aati...

yahi khayal ghum raha hai naa tumhare dimag me...

MARILIZA ki baat sun saamne khade shaksh ko jhatka sa laga kyunki MARILIZA ne sach kaha tha....

1ST-how do you know this...??

MARILIZA-mai tumhe aur tumhare baare me tumse zyada jaanti hun...

1ST-but how???.aur ye sab kya hai???aap hain kaun???please bina ghumaye sidhe sidhe bata dijiye...!!!!

MARILIZA-batati hun....sab batati hun...

ye keh MARILIZA saamne khade saksh ko usse judi sari sacchayi batati chali gayi jisse sun kayi saare expressions us shaksh ke chehre par aane jaane lage....

MARILIZA ki puri baat khatm hote hote uske saamne khade saksh ki aakhen puri tarh se bheeg chuki thi....

puchna toh uski zubaan bohot kuch chahti thi,but sawalon ki gathri itni ulajh gayi uske dimag me ki uske mooh se bas ek shabd nikal paaya...

UNKNOWN-KYUN!!!!!?????

MARILIZA-iska jawab dene ke liye mai sahi insaan nahi hun...aur naahi ye sahi waqt hai...tumhe kuch din tak intazar karna hoga...

1ST-intazar...kya is shabd ko ab tak arth nahi mila hai...kya iske pura hone ka waqt ab bhi nahi beeta hai...

MARILIZA-tumhare haalat se mai anbhigya nahi hun...par ye sach hai ki abhi upyukt samay nahi aaya hai...par yakin maano, bohot jald aayega...

1ST-abhi abhi jo dekha hai maine,usse itna toh saaf hai ki aap koi maamuli insaan nahi ho aur naahi mai aapse yudh ke laayak hun....

aapki baat manane ke siwa mere paas aur koi rasta nahi hai.par aap mujhe nyaya priye bhi lagte ho..

aap bataiye,ki jo aapne mere saath kiya,kya wo sahi hai???

MARILIZA-kartavya ke path par kayi baar aise faisle lene padhte hain,jo lete waqt sahi nahi lagte...

but jab waqt karwat leta hai, us kartavya ke pure hone ka waqt aata hai, saare RAAZ se parde khulte hain,tab us kathin faisle ka mahatv samajh me aata hai aur fir sab kuch sahi lagta hai....

1ST-gyan baatna tab bohot aasaan hota hai,jab receiving end me aap khud nahi hote...

MARILIZA-shayad..par jo tumhe end lag raha hai,wo toh end hak hi nahi..bus ek stoppage hai..kuch hi waqt me paar ho jaayega....

tumhe bas sabr rakhna hai...

1ST-aur ye mai kaise rakhun,ye bhi bata dijiye....

MARILIZA-do tarike hain.. pehla,upyukt samay aane tak yahin par apna waqt bitao ya fir mai tumhe ek baar firse ussi gehri nidra me bhej deti hun jahan se tum loute ho...

1ST-agar behosh hi karna tha toh hosh me laaya hi kyun???

MARILIZA-taaki tumhe tumhare sawalon ke jawab mil sake aur jab sahi waqt aaye,tab tum sayyam me raho.....

kyunki dusri chhor me aisa nahi hoga....

1ST-mujhse aise aur intazar me raha nahi jaayega..isse toh acha hai.....

us unknown shaksh ke mooh se aur kuch nikalta,usse pehle hi uski aankhen band ho chuki thi matlab ek baar phirse behoshi ne usse gale laga liya tha...

aur ye kiya tha MARILIZA ne...usse pehle hi pata tha ki us unknown shaksh ka kya faisla hoga...

usse behosh kar uske body ko hawa me tairate hue MARILIZA ne wapas bed par lita diya...

MARILIZA-ye sab kyun hua,ye toh mai bhi nahi jaanti...bas itna pata hai ki agli baar jab tumhari aankhen khulengi,toh tumhare dard ka malham tumhare saamne hoga...




PLANET-EARTH



PLACE-ALFREEN ORPHANAGE



KUCH PATA CHALA!!!!!


ye awaaz MARIA ki thi jo abhi abhi apne room me enter hui thi..wahin FLORIN apne laptop me is kadar khoye huye the ki unhe naa toh MARIA ke aane ki aahat mehsoos hui aur naahi unki awaaz se unka dhyan tuta...

wahin maria jo room me aa kuch kapdon ko fold karne me lag gayi thi,jab uske sawal ka koi jawab FLORIN ne nahi diya toh unhe ajeeb laga...

MARIA-FLORIN.....

ek baar aur awaaz di MARIA ne par jab tab bhi FLORIN ne koi jawab nahi diya toh wo unki taraf badh chali aur jaise hi unki nazar FLORIN aur unke saamne rakhe laptop par gayi toh unhe laga shock...

reason.....

ek taraf jahan laptop me 1 tab open tha aur saath hi 10 se zyada tabs minimize mode par rakhe hue the wahin uske saamne baithe FLORIN ki bas aankhon ki putliyan hi harkat kar rahi thi....

jo lagatar laptop ke screen par dikh rahi infos ko padh rahi thi...

aisa lag raga tha maano FLORIN kisi trance me chale gaye hain aur ussi trance me ghum se ho gaye hain...

par is shock ke beech MARIA ko FLORIN ki haalat dekh bohot bura bhi laga....

reason....

FLORIN ke aankhon ke neeche dark circles banane lage the..unke chehre par is waqt kaafi zyada thakawat aur tanaav,dono hi dikh raha tha...

aur ye sthithi aaj hi ki nahi hai...do din beet chuke hain jab principal ne FLORIN aur MARIA ke upar us naye language ka bomb foda tha....

aur tabhi se MARIA aur FLORIN itne zyade tension me rehne lage the ki unhe orphanage aur usme rehne waale bacchon ki toh kya ek dusre ki bhi sudh nahi rahi thi....

jahan ek taraf MARIA thodi dari dari si rehne lagi thi..apne aap me hi goom chup chaap reh wo bas RAAZ aur uske saath chuppe itne saare RAAZ ke baare me hi sochti rehti thi wahin dusri taraf FLORIN ka toh haal aur bhi bura tha...

wo din bhar apne room me laptop ke saamne baith saare known aur unknown languages ke baare me research karte rehte the aur der raat ko ussi laptop ke through RAAZ ke room me nazar gadaye rehte the...

aur yahi wajah thi ki wo abhi kamzor bhi lag rahe the aur tensed bhi....

wahin MARIA ko ab khudpar ghussa aa raha tha..kyunki wo in do dino me khud me itna khoyi hui thi ki unhe apne husband ki haalat tak ka andaza nahi raha tha...

niyamit samay par breakfast,lunch aur dinner karne waale FLORIN ne in do dino me inme se koi bhi food time par liya bhi hai yaa nahi, unhe pata nahi tha...

umr ke is padhav par bhi jahan kuch din pehle tak FLORIN ache khaase jawan dikhte the wahin sirf do hi dino me unki haalat kharab ho gayi thi....

kuch der tak aatm glani karte rehne ke baad...


MARIA-FLORIN.....

FLORIN-haan......


kandhe ko zara zor se jhanjhorte hue jab MARIA ne FLORIN ko pukara tab kahin jaakar FLORIN apne trance se baahar aaye.

aur jaise hi unki nazar unki wife par gayi,unhe jhatka laga...reason... MARIA ke aankhen gili ho chuki thi aur ussi tairti hui jheel ke saath wo apne husband ko dekh rahi thi...

apni beti ko khone ke gum me nikle aansu ke baad aaj jaakar FLORIN ne apni wife ko rote dekha tha jo unhe bardasht nahi hua aur unhone jhat se uth MARIA ko apne gale se laga liya....


FLORIN-hey....shhhh...kya hua???why are you crying....????kisi ne kuch kaha kya???


aakhri shabd bolte bolte FLORIN ki awaaz kadak ho gayi thi jisse sun MARIA ke dil aur dimag me ek saath do do khayalon ne ghar kiya.

pehla khayal ye ki khud itne zyada tention me hone ke baawjud FLORIN bas unke aansu dekh baaki sab kuch bhul chuke the aur dusri unki aatm glani ka jo aur badh gayi thi...


MARIA-i am sorry FLORIN..tum pichle do dinon se itne tention me ho,aur maine is baat par dhyan bhi nahi diya...

FLORIN-isiliye ro rahi ho...!!!!par isme tumhari kya galti hai!!!jis khayal ne mujhe ghere rakha hai,ussi khayal ki shikar tum bhi toh hui ho naa...

mujhe pata hai ki tum bhi pichle do dino se ussi chiz ke baare me soch rahi ho jisse solve karne ki koshish mai kar raha hun...

fir ye aatm glani kyun???

MARIA-fir bhi..mai kitni selfish hun jo sirf khudme hi khoyi rahi..tumhari haalat par gaur tak nahi kiya...shaadi ke itne saalon ke baad shayad pehli baar tumhare dim me ye khayal aaye ki kahin mera tumhare liye pyar kam toh nahi ho gaya.....

FLORIN-batane ye jatane se hi pyaar saabit hota hai kya???tum jab mere aas paas hoti ho naa,toh bhale hi mujhe khabar naa ho par meri body,meri soul sab kuch shaant ho jaate hain...

jitna bhi tensed kyun naa rahun mai,agar tum saath ho toh aag bhi paani ho jaata hai...isiliye kabhi bhi i am very serious about it,kabhi bhi mere liye khudko dosh mat dena...


ye keh FLORIN ne MARIA ke chehre ko apne haathon me thaama aur usse dekhne lage... MARIA ab ro toh nahi rahi thi but unki aankhen ab bhi geeli thi jisse dekh....


FLORIN-tumhari aankhon me har waqt mujhe mera aks dikha hai MARIA.. par filhal jis paani ne tumhare aankhon par kabza kiya hua hai,usne mere aks ko dhundla kar diya hai...

aur bas yahi baat thik nahi hai...ye aankhen mera aayna hai aur tumhara kaam hai is aayne ko hamesha saaf rakhna....

agar apna pyar saabit hi karna hai toh bas itna hi kar diya karo mere liye....


FLORIN ki baat sun MARIA ki saari aatmglaani khatm si ho gayi... unhone FLORIN ke ird gird apne haathon ke ghere ko aur majboot kar liya tha...

kuch der tak ek dusre ki dil ki dhadkon me apna apna naam sunane ke baad...


MARIA-ek baat puchun???

FLORIN-aapko ijazat ki zaroorat kabse padh gayi....

MARIA-ek mystery solve karne ke liye itna effort, kyun????

FLORIN-pata nahi MARIA...but najaane kyun,jab bhi dimag kehta hai ki rehne deta hun, dil mana kar deta hai......

aisa lagta hai jaise ye mera koi mission hai jisse mujhe har haal me pura karna hai....


MARIA ko pata tha ki agar wo FLORIN ko ye sab nahi karne ke liye bolengi,tab bhi wo nahi maanenge...

aakhir the toh wo ek soldier hi....bhale hi army se wo nikal chuke the,but army unke andar se kabhi nahi nikal saki hai....

aur waise bhi, FLORIN shuru se hi jigyasu tarah ke rahe hain,unhe mila har task unhone har haal.me pura kiya hai...yahi passion,ya fir sahi shabdon me kahun toh yahi ATTITUDE hi unhe baakiyon se alag banata aaya hai...

aur shayad yahi wo khubi bhi thi jis wajah se MARIA ko unse pyaar hua tha...aur isiliye....


MARIA-mai aapko mana nahi karungi but in sabme apni sehat ko kharab mat hone dijiye....

agar aisa hua toh fir mai aapko dobara in chakkaron me nahi padne dungi...

FLORIN-jaisa aap kahen my queen....


muskurate hue FLORIN ne ya baat kahi aur wapas apne laptop ke saamne baith gaye...

wahin MARIA bhi muskurate hue FLORIN ke baaju me khadi unke laptop ko dekhne lagi...


MARIA-waise itne saare tabs kis cheez ke hain...???

FLORIN-ye saare alag alag languages ke sites hai...ek ek karkar check kar raha hun....

MARIA-koi hint mila!!!!

FLORIN-kahan!!!!???divine language,aramaic,ferizon aur aise hi najaane kitni hi mythology se judi languages,holy languages check kar chuka hun but abhi tak kuch haath nahi laga....

MARIA-ye RAAZ aur uske RAAZ...!!!ye ladka naa sikke ke do pehlu ki tarah hai...kabhi kuch toh kabhi kuch....


apni baat keh MARIA palti aur dusri taraf jaane lagi wahin FLORIN bhi apni patni ki baat sun pehle muskuraye par fir unke dimag me unki patni ki kahi gayi baat jaise gunj si gayi aur aisa hote hi unhone turant ek naya tab khola aur fatafat kuch type karne lage aur jaise hi unki type kiye gaye words ke result saamne aaye.....


FLORIN-OH SHIT...........TOH YE HAI WO.....


chillate hue unhone apni baat kahi jisse sunte hi MARIA turant unke paas aayi...


MARIA-kya hua FLORIN???is something wrong!!!!???

FLORIN-wrong toh ab tak tha,but ab sab right hi right hai and all thanks to you....

MARIA-thanks to me!!!matlab!!!saaf saaf bolo naa....!!!

FLORIN-arre tumne abhi kaha naa,ki RAAZ sikko ke do pehlu ki tarah hai..

MARIA-haan toh!!!

FLORIN-toh jo usne likha hai,wo bhi toh ek dusre pehlu ka hi hissa hai...

MARIA-kuch aisa bolo jo samajh me aaye...

FLORIN-mai ab tak galat segment me dhund raha tha...pehle jo RAAZ ne likha tha,ENOCHIAN....mai ussi language ke reference ko lekar baaki languages ko khoj raha tha but yahi mai galat tha....

tumne kaha naa ki RAAZ sikke ke do pehluon ki tarah hai..RAAZ ke ek pehlu me wo bewakuf jaisa lagta hai aur dusre me bohot intelligent.

waise hi uske through likhi languages bhi contrasting hain...

MARIA-mai ab bhi kuch nahi samjhi....

FLORIN-abhi samajh jaaogi..ye dekho,ye hai ENOCHIAN.... also known as ANGELS LANGUAGE... jo raaz ne pehle likha tha...yaani sikke ka pehla hissa....

aur ye hai DEMONOIC LANGUAGE... also known as DEVIL'S LANGUAGE....jo RAAZ ne abhi likha hai....


FLORIN ne RAAZ ke pehle ki likhi alphabets aur abhi ki likhi alphabets ko laptop me dikh rahe do alag alag language ke alphabets ke saath match karte hue MARIA ko dikhaya....

jahan ek taraf is nayi paheli ko crack karkar FLORIN khush dikh rahe the wahin MARIA ki toh haalat hi kharab ho gayi thi...


MARIA-FLORIN....ye sab kya hai!!!!pehle ENOCHIAN aur is baar DEMONOIC....ye ladka hai kya aakhir???

KABHI ANGEL KABHI DEVIL....


itni der me ab jaakar FLORIN ki nazar MARIA ke chehre par gayi jahan is waqt dar hi dar tha...


FLORIN-MARIA..i know ye sab bohot complicated hai...aur kahin na kahin mai bhi in sab cheezon se ghabraya hua hun..but trust me,agar isse hamara koi nuksaan hona hota,toh ab tak ho chuka hota...

isiliye darna chhodo......ab jab hume ye pata hai ki ye kya language hai,toh isse RAAZ ke likhe alphabets ke saath mila kar dekhen ki kya matlab nikalta hai...????


dar toh MARIA ko ab bhi lag raha tha but usse bhi janana tha ki RAAZ ke likhe alphabets me kaun sa naya RAAZ chuppa hua hai isiliye unhone apne sir ko haan me hilaya...

unke aisa karte hi FLORIN turant laptop par us DEMONOIC LANGUAGE ke saath RAAZ ke likhe alphabets ko match kar uska matlab nikalne me lag gaye aur kuch hi der me RAAZ ke likhe shabd decode ho chuke the aur aisa hote hi FLORIN aur MARIA ko ek naya jhatka laga..

reason..laptop me screen par is waqt RAAZ ke likhe gaye jo alphabets the,wo ek RIDDLE me convert ho chuke the jo khudko kuch yun bayan kar rahe the....


sukoon chhupa hai tera,
bas samajh har alfaaz jo KEHTI hai...

chinta ki har jad ko pakad,aur
aaja wahan jahan se pashchimi hawa BEHTI hai....
 

Top