Fantasy ATTITUDE (KABHI ANGEL KABHI DEVIL) (vj4u)

Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI PEHLE RAAZ KI OPHILIA WHIZZ KE SAATH AUR FIR MAHI & ALFREEN KE SAATH BAHAS HO JAATI HAI.


AB AAGE:-




CHAPTER-1


(UNFOLD THE RAAZ)




UPDATE-16




PLANET-ELYSIAN



PLACE-THE CHOSENS




ABBE OYE DUSRON KE GHAR KO APNA THIKANA BATANE WAALE LICCHADON,TUMHARI TO NAHI LI HAI NAA RAAZ NE....

FIR KAAHE KO APNE APNE GAA**D KA DARD DIKHA RAHE HO EK DUSRE KO....

APNI APNI JAGAH PAR CHUPCHAAP KHADE HO JAAO..

WARNA KAHIN OPHILIA WHIZZ AA GAYI TOH TUMHARI BINA TEL KI NAA LE LEN...



OPHILIA ma'am ke jaane ke baad apna apna group banakar sabhi SAVENTS RAAZ aur OPHILIA WHIZZ ke beech hui bahas ke baare me hi baat kar rahe the jisse sun ACHHUTA ne apni baat kahi...

bhale hi ACHHUTA ki tone aur language galat thi,but uski baat bilkul sahi thi aur isiliye uski baat sunte hi hostlers aur discholars dono hi group apni apni jagah par jaakar khade ho gaye....

wahin RAAZ ke saamne khadi ALFREEN aur MAHI jo meri baat sun yahin kaat ke phenk dene waali nazar se mujhe dekh rahi thi,meri baat ka koi jawab deti ki tabhi OPHILIA ma'am class me dobara enter hui jisse dekh wo dono chubhti hui nigahon se mujhe dekhte hue apni apni jagah jaakar khadi ho gayi...

OPHILIA WHIZZ SOVEREIGN office se apni soch me goom class me louti thi jiski wajah se unka dhyan turant kisi SAVENT par nahi gaya tha...

hum sabke saamne khade hone ke baad bhi kuch der tak wo apni sochon me hi rahin par phir...

unki nazar hum sab par padi ya fir ye kahun ki mujhpar padi.par is baar unki nazar me naa toh ghussa tha,aur naahi chidh bas confusion tha but wahin isse ulat mera chehra sapat tha maano kuch der pehle kuch hua hi nahi tha....

kuch der tak mujhe dekhne rehne ke baad apna dimag jhatak...


OPHILIA-so guys...kaafi time waste ho gaya hai isiliye aaj ki class shuru karte hain...

sabse pehle aap mujhe ye batayen ki jin teen modes ke baare me maine aap sabko bataya tha,wo kya hain???


OPHILIA WHIZZ ne aate hi class shuru ki par unki baatein sun sabhi man hi man shocked ho gaye the..

sabko ye laga tha ki OPHILIA WHIZZ ke aane ke baad RAAZ ko tagda punishment milega but aisa toh kuch hua hi nahi....

sab abhi issi soch me goom the ki.....


OPHILIA-kya hua SAVENTS???kya kisine bhi mere kal puche gaye sawal ka jawab nahi dhunda...???


OPHILIA WHIZZ ki awaaz sun sabhi apne apne khayalon se baahar aaye aur....

mujhe chhod sabhi ne apne apne haath upar kiye jiska matlab tha ki sabhi ko answer pata chal chuka hai...

but kal hi ki tarah MAHI aur ALFREEN ka haath sabse pehle utha tha jisse OPHILIA ma'am ne dekh liya tha....

wahin unhe ye jaankar bhi khushi hui thi ki sabhi ne unke puche question ka answer dhunda hai..

par saath hi unhone ye bhi note kiya ki maine haath nahi uthaya hai jiska matlab hai ki yaa toh mujhe answer nahi pata yaa fir mujhe interest nahi hai aur ab toh unhe bhi mujhme interest nahi bacha tha isiliye jaisa AKSHAANT ne unhe kaha tha,unhone mujhe avoid kiya aur...


OPHILIA-MAHI....aap bataiye ki REQUEST MODE kya hota hai???

MAHI- REQUEST MODE MAGIC ka wo tarika hai jisme magic karne waala magic ke zariye jo bhi karna chahta hai,us kaam ko khud ke dimag se jod us MAGIC se jude mantron ko uccharit kar man hi man REQUEST ya ANURODHAM kehta hai...

is mode me MAGIC ka asar magic karne waala tay nahi karta balki ye mode khud tay karta hai...

jitna acha judaw spell bolne waale ka apne dimag se aur us kaam se hoga,jisse wo anjaam dena chahta hai,utna hi asardaar uska spell aur usse hone waala MAGIC hoga....

OPHILIA- absolutely right..bohot ache se explain kiya hai tumne MAHI...

MAHI-thanks WHIZZ....

OPHILIA-jaisa ki MAHI ne bataya ki REQUEST MODE me aap apne focus ke hisab se hi apne chune hue kaam ko anjaam de sakte hain...

bhale hi MAGIC aap khud karte hain but ANURODHAM,is shabd ki wajah se aap apne spell ko control nahi karte balki aapki iccha shakti ke hisab se MAGIC hota hai...

ab ALFREEN,aap bataiye ki COMMAND MODE kya hota hai???

ALFREEN- COMMAND MODE magic ka second best aur hard tarika hai..ye wo tarika hai jisme MAGIC karne waala jo bhi karna chahta hai,usse karne se pehle us kaam se jude spell ko uccharit kar man me COMMAND ya AADESHAM kehta hai....

isme dimag ko jodne ki zaroorat isiliye nahi padti kyunki iska safalta purvak use karne waale ka dimag pehle hi har spell se juda hota hai....

par ye bohot kathin bhi hai kyunki isse use me laane ke liye saare spells aur usse Jude kaamo ko pehle hi apne dimag se jodna padhta hai....

OPHILIA-bohot ache ALFREEN..toh ye hota hai COMMAND MODE...

par differences ke saath REQUEST MODE aur COMMAND MODE me ek similarity bhi hai...

aur wo ye hai ki in dono hi modes me use hue magic ki ek seema nirdharit hoti hai...

ek daayre ko chu ye dono hi modes me kiye MAGIC ka asar tham jaata hai...

par inse bohot alag aur khatarnaak hota hai teesra mode matlab ATTACH MODE...

toh kaun batayega is mode ke baare me...aap,aap bataiye...


WHIZZ ne jisse bolne ke liye bola tha,wo aur koi nahi hamare SLUNDER bhai sahab the jo WHIZZ ke ijazat dete hi...


SLUNDER- ATTACH MODE magic use karne waale ke sharir ke har part ki shakti ka ek tarah ka mixture hai...

isme MAGIC karne waale ko naahi request karna padta hai aur naahi command....

usse bas bole jaane waale spell ko apne sharir se connect yaa fir ATTACH karna hota hai...

aisa hone par spell sharir ka ek hissa ban jaata hai...aur issi wajah se us spell ke natije ka prabhaav gayi guna tak badh jaata hai....

OPHILIA-bilkul sahi....aur SAVENTS,aap sabke jaankari ke liye batadun ki CHOSENS ke itihas me aaj tak sirf do hi aise SAVENTS hue hain,jinhone is ATTACH MODE me kaafi had tak perfection haasil kiya hai....


OPHILIA WHIZZ ki baat sun sabhi SAVENTS ko shock laga tha..

OPHILIA WHIZZ ki baaton se saaf ho chuka tha ki wo khud aur saath hi baaki teeno WHIZZ aur WHIZZDERS bhi is anokhe mode ko perfectly use karne ke kaabil nahi hain...

aur issiki wajah se un sabko ATTACH MODE ke importance aur difficulty level ka bhi andaza ho gaya tha....


OPHILIA- aap sab ne gour kiya hoga ki aapke is first PHASE ke liye hum kul chaar WHIZZES aur WHIZZDERS appointed hai...

iska reason ye hai ki jin teen MODES ko aap sikhenge,unhe sikhne ke liye chaar chizon ka sahi tarah se work karna zaroori hai...

aur yahi chaar chizen aapke is PHASE ke chaar classes hain...

aapki pehli class jo ki mai hi lungi wo hai...


1ST-BRAIN AMPLIFICATION....


brain ke wo saare nerves jo magic karne ke liye istemal me laaye jaate hain,is class me un saare nerves ko khola aur use me laana sikhaya jaayega....

aapki dusri class hogi


2ND-BODY AMPLIFICATION....


is class me aapki body ko is laayak banaya jaayega jisse wo aise kaam kar sake jo aap filhal nai kar sakte....

is class ka ek kaaran ye bhi hai ki jitna strong aapka body hoga,utna hi powerful aapke MAGIC SPELLS bhi honge....

BODY AMPLIFICATION ki class OMMIN WHIZZDER lenge....

aap sab ka teesra class hoga


3RD-BLOOD AMPLIFICATION....


hamare sharir me behte khoon ki bhi ek alag divine taakat hoti hai...is universe ka sabse honest creation blood hai aur issi wajah se isme bohot zyada urja hoti hai...

BLOOD AMPLIFICATION class me aapko aapke sharir me behte khoon ko ek software ki tarah use me laana sikhaya jaayega...

iske sahi istamal se aapke sharir ke kone kone me ek aisi urja ka sanchar hoga jo aapke sharir ke charon taraf ek aura create karegi jisse aap bade se bade ghaatak spell se khudko chot lagne se bacha paayenge...

NOX aapki ye class lenge....

aur aapki final class hogi


4TH-SOUL AMPLIFICATION


ye sabse hard aur sabse important class hai...waise toh aapke chaaro hi classes aur usme jo bhi aap sikhenge,sabhi important hai but soul ampification ki class ki baat hi alag hai...

aur wo isiliye kyunki ATTACH MODE issi class ke andar sikhaya jaata hai...

soul...invisible yet the most powerful form of any living being...

soul ki shakti ko naapa nahi jaa sakta...brain,body aur blood milkar bhi itni energy ya power generate nahi kar sakte jo soul aaram se kar sakti hai...

agar aapne apne soul ki shakti ka sahi istemal Sikh liya toh baaki saare ampifications ki zaroorat hi nahi padegi....

SOUL AMPLIFICATION ki class VIOLET WHIZZ lengi kyunki hum chaaron me attach mode ka sabse zyada use karna unhe hi aata hai...

but us class me unke saath hum baaki ke teeno bhi aapko guide karenge....

but filhall baaki saari classes tab tak shuru nahi ki jaa sakti jab tak aap sab apne pehle class yaani BRAIN AMPLIFICATION ko thik se use me naa le aayen kyunki magic karne ka yahi class ground zero hai...

toh isiliye aaj se kuch dino tak aapki bas yahi BRAIN AMPLIFICATION ki class hi chalegi..

jaise hi aap sab apne apne brain ke saare unconscious nerves jo magic ko trigger karte hain,unpar kaabu paa lenge,us din se aapke baaki ki classes bhi start ho jaayengi....

so all clear....

SAVENTS-YES WHIZZ...


OPHILIA WHIZZ ki saari baatein saare SAVENTS badi dilchaspi se sun rahe the aur saari baatein jaanane ke baad toh jaise sabka excitement level alag hi level par chala gaya tha...

jin jin classes ki baat OPHILIA WHIZZ ne ki thi,unke baare me soch soch kar hi sabhi andar hi andar khush ho rahe the...

wahin apni baat keh OPHILIA WHIZZ ne man hi man baaki ke teeno WHIZZ aur WHIZZDERS se contact kiya jiske agle hi pal OMMIN, VOILET aur NOX bhi hum sabke saamne prakat hue...

waise toh aisa hote humne pehle bhi dekha tha,but ye sab abhi bhi itna naya aur anokha tha ki teeno WHIZZ ke prakat hote hi hum sab shocked, surprised aur khush, teeno ho gaye the...

teeno WHIZZ aur WHIZZDERS ke prakat hone ke baad...


OPHILIA-kyunki kuch dino tak aapki yahi class chalegi, isiliye is class me mere saath ye teeno bhi aapki help karenge taaki aap sab jaldi hi BRAIN AMPLIFICATION me maahir ho jaayen....

toh shuru karen!!!!

SAVENTS-yes WHIZZ...


pure excitement me saare SAVENTS jaise chilla uthe par inse ulat mujhe ubasi aane lagi thi jisse OPHILIA WHIZZ ne dekh liya tha but jaisa AKSHAANT ne kaha tha,unhone avoid kiya....

VOILET-toh ab aap sab ko aapke is PHASE me sikhne waale saare chizon ke baare me pata chal gaya hai aur hum sab ko ummid hai ki aapka pura batch apne first PHASE me excell karega..

aur issi ummid aur vishwas ke saath hum aaj ki aapke first class jo ki aapke is naye safar ki neev hai,shuru karte hain...

sabse pehle,aap sab neeche baith jaayiye..

VOILET WHIZZ ki baat sun hum sab jahan khade the,wahin paalthi maarkar baith gaye....

VOILET-BRAIN AMPLIFICATION ko trigger karne ka pehla aur sabse important step hota hai PAUSE CEREBRATION...(stop the thinking of mind)

universe ke normal human biengs meditation karte hai...but meditation ka next level hota hai PAUSE CEREBRATION....

jo ki kisi bhi normal living being ke liye impossible hai...

but kyunki aap sab SAVENTS hain,isiliye ye adbhudh hunar aap sabme god gifted hota hai...

PAUSE CEREBRATION meditation ka wo phase hai jisme aap apne dimag ke un nerves ko excess kar sakte hain,jinme meta physical activity ya magic create karne ki shakti hoti hai....


VIOLET WHIZZ aage kuch kehti usse pehle hi MAHI ne apne haath upar kiye jisse dekh


VOILET-yes SAVENT MAHI....!!!!

MAHI-WHIZZ,ye capability toh humare andar shuru se hai..but hum toh kabhi koi metaphysical kaam ya magic nahi kar paayen hain...

VOILET-wo isiliye kyunki ab tak aap sab ke brain ke un nerves ke upar jahan se aap metaphysical activities ko anjaam de paayenge,ek BARRIER laga hua tha but ab hum us barrier ko kholne waale hain...

VOILET WHIZZ ke ye bolte hi chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS ne apne apne haath aage kiye aur...


SETUBHEDIN....

BREAKING DOWN BARRIERS....


un chaaron ke ek saath spell uccharit karte hi unke haathon se ek roshni numa urja nikli aur hum sabke mastishk me padi....

aur aisa hote hi hamare dimag ke wo nerve jo ab tak band the ya fir ye kahun ki jinka connection hamare baaki active nerves se toot gaya tha, wapas jud gaya...

but kamal ki baat ye thi ki kisi bhi SAVENT ko kuch feel hi nahi hua...


VOILET-ab aap sabke dimag ka barrier toot chuka hai...iska matlab hai ki ab aap sab bhi magic kar paayenge..


but us magic ki hadh aap sab khud tay karenge...jitna adhik aapka focus hoga,utni hi jaldi aur ache se aap apne BRAIN AMPLIFICATION ke process par kaabu paa sakenge...

VOILET WHIZZ ki baat sun sabhi SAVENTS ka excitement level aur badh gaya tha aur sabhi aage ki technique ke baare me jaanane ke liye utsuk ho uthe the...


NOX-ab aap sab dhyan se suniye ki aage kya karna hai....

aap sab ko apni apni aankhen band kar apne dimag ke CEREBRATION process ko pause karna hai..

kyunki aapke subconscious mind ke saare nerves ab active hain,isiliye aapke aisa karte hi aap sabko apne brain ke beech ek roshni ka chota sa ray dikhayi dega....

ye ray asal me aapke METAPHYSICAL powers ki key hai...

aapko us ray se khud ke chitt ko jodne ki koshish karni hai...

jaise jaise aap apni koshish me kaamiyab honge,wo ray apne aakar ko bada kar aapke magical nerves me ghusti chali jaayegi...

par ye itna asaan nahi hai... jaise hi aap sab ke chitt us ray ke paas jaayenge,toh aapke dimag ko jhatka lagna shuru ho jaayega jisse aap ka CEREBRATION process wapas shuru ho jaayega aur aap sab back to zero par aa jayenge..

itna hi nahi,agar kisi tarah us ray ke paas jaane ke baad bhi aap apne chitt ko control me rakh paaye,tab wo ray apne aakar ko badhayega aur aisa hote hi aapke pure dimag aur saath hi pure sharir me jhatke lagne shuru ho jayenge jiske baad apne CEREBRATION process ko pause me rakhna aap sab ke liye bohot mushkil hoga....


NOX WHIZZDER ki baat sun sabhi SAVENTS ab excited ke saath nervous bhi ho chale the....

unhe samajh me aane laga tha ki ye safar unki ummidon se bhi zyada mushkil hone waala hai..

khair,ab toh piche mud kar dekha nahi jaa sakta tha isiliye sabhi khudko is naye adventure ke liye man hi man ready karne me lag gaye the...


OPHILIA-toh aap sab ready hain???

SAVENTS-yes WHIZZ...

OPHILIA-good..chaliye,ab apni aakhen band kijiye aur apne apne CEREBRATION process ko pause kijiye....


OPHILIA ke aisa bolte hi sabhi SAVENTS including me,ki aankhen band hoti chali gayi thi..

but ek difference tha..jahan baaki sab khud ke CEREBRATION process ko pause karne me lage the,wahin mai bas aankhen band kiye baitha tha...

par naahi ye koi normal class thi aur naahi hamare saamne khade teachers aam log the...unhe dhoka dena aasan nahi tha aur hua bhi kuch aisa hi....

saare SAVENTS turant aankhen band kar baith chuke the...aur jaise ki bataya gaya hai, SAVENT ke liye CEREBRATION process ko pause karna bohot asaan hota hai isiliye jaise hi saare SAVENTS ne khudke dimag ko sthir karna shuru kiya,brain shaant hota chala gaya...

aksar meditation me jab mastishk shaant hota hai ,toh har taraf ek roshni hoti hai..but kyunki CEREBRATION PAUSE process meditation se ek level upar hai, isiliye isme roshni ke ulat dimag ke har taraf andhera hota hai...

aur ussi andhere ke beech kuch der baad ek halki si roshni ki kiran dikhti hai....

aur abhi bhi waisa hi hua...chitt ke shaant hote hi sabhi SAVENTS ke dimag me ek ghanghor andhera chhaya jiske kuch der baad unhe us andhere ke beech ek roshni dikhayi di...

ye ray bhale hi un sabke mastishk ke andar thi,par is ray ki shakti itni zyada thi ki uske ubharti hi saare SAVENTS ke forehead ke beecho beech ek tej utpann hua jisse dekh chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS samajh gaye ki saare SAVENTS kahan par hain...

par asli kaam toh ab hona tha jiske parinaam ko soch wo chaaron muskuraye jaa rahe the...

wo chaaron sabhi SAVENTS ki taraf nazar doudaye jaa rahe the ki tabhi un sabki nazar ek jagah par aakar rook gayi...

ye jagah aur koi nahi meri hi thi..aur wo sab mujhe hi dekhe jaa rahe the..

reason....

jahan baaki sabhi SAVENTS ke chitt par tej dikh raha tha,wahin mera forehead normal hi tha...

dhyan se dekhne par un sabko ye bhi dikha ki band aankhon ke andar beech beech me meri aankhon ki putliyan hil rahi hain jiska matlab tha ki maine CEREBRATION process ko pause hi nahi kiya hai...

aur ye pata lagte hi NOX meri taraf badhne hi waale the ki tabhi OPHILIA ma'am ne unhe aisa karne se rok diya aur saath hi kuch der pehle jo mere aur unke beech bahas hui thi,wo batayi....

WHIZZ ki baat sun baaki teeno ko bhi mujhpar behad ghussa aaya par fir jab OPHILIA WHIZZ ne AKSHAANT se hui unki baatein batayi toh un teeno ke bhi hairani ka thikana naa raha...

unhe bhi samajh me nahi aaya ki ye sab ho kya raha hai???kyunki isse pehle aisa kabhi nahi hua tha but AKSHAANT SOVEREIGN ki baat unme se koi bhi nahi kaat sakta tha isiliye un sabne bhi khudko OPHILIA WHIZZ ki hi tarah shaant kar liya...

par phir bhi,un sabka dimag mere baare me hi soch raha tha aur shayad aage bhi yahi hota par tabhi....


AHHHHHHHHHHH..........


ek tez dard bhari aah nikli....ye aahh sabhi SAVENTS ke.mooh se nikli thi jisse sun chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS apni apni sochon se bahar aaye aur un sabke hothon par smile aa gayi...

issi parinaam ke baare me sochkar wo chaaron kuch der pehle bhi muskura rahe the...

darasal mastisk me chaaye andhere ke beech jab sabhi SAVENTS ko apne apne dimag ke andar wo roshni ki ray dikhi toh sabhi ne khudko ko us ray ki taraf dhakela aur un sab ke aisa karte hi unke dimag me ek tez jhatka laga jiski wajah se saare SAVENTS ek dard bhari karah ke saath wapas hosh me aa gaye....

itna hi nahi,us jhatke ki wajah se un sab ke dimag ki nasen bhi hili thi jiski wajah se is waqt sabhi SAVENTS ke chehron par thakan saaf dikh rahi thi....


OPHILIA-hahahaha..maza aaya???


OPHILIA WHIZZ ki baat sun sabhi chup hi rahe...


OPHILIA-aapko kya laga tha ki jaise aaj tak apne apne grahon par har kaam aapke liye ek piece of cake ki tarah raha hai,yahan bhi aisa hi hoga????

bohot papad belne padhenge aapko yahan excell karne ke liye...khair,filhal ab aap sab is haalat me nahi hain ki fir koshish kar saken isiliye aap sab jaa sakte hain...

jaakar rest kijiye..yahi tarika hai back to normal hone ka...kal dobara try karenge....


OPHILIA WHIZZ ki baat sun sabhi SAVENTS ek ke baad ek kar class se baahar nikalte chale gaye...

aj toh MAHI ne bhi extra koshish nahi ko thi..usse bhi aaj aaram ki zaroorat mehsoos hui thi...

khair,meri aadat ke anusar mai sabse last me bahar nikalne laga par tabhi...


OMMIN-RAAZ....ek minute....


OMMIN jinki nazar ab bhi mujhpar hi thi, unhone mujhe awaaz diya jisse mai rook gaya...

wahin mujhe pukarne par baaki ke teeno bhi meri aur OMMIN ki taraf dekhne lage...

mere rookne ke baad OMMIN mere saamne aakar khade hue,kuch der tak mujhe dekha aur...


OMMIN-agar tum yahan rehna nahi chahte,toh tum ye institution chhod bhi sakte ho..yahan rehna koi compulsory nahi hai...

waise bhi aaj ki class me tumne bas apni aakhen band ki thi,aur kuch nahi..jab tumhe interest hi nahi hai toh yahan rehkar faayda kya????

MAI-first class me bataya gaya tha ki yahan total teen PHASES hain...

OMMIN-haan toh????

MAI-aap sab first PHASE me hi padhate hain yaa fir second aur third PHASE me bhi aapki classes hoti hai....

OMMIN-nahi hum chaar sirf issi PHASE ke WHIZZES aur WHIZZDERS hain...

MAI-aur aisa kyun???

OMMIN-hume issi PHASE ki responsibility mili hai...

MAI-jhooth...aap is PHASE me isiliye hain kyunki aap chaaron ki haisiyat itni hi hai....


meri baad sun OMMIN ke saath saath baaki ke teeno WHIZZ aur WHIZZDER ko bhi ghussa aa gaya tha isiliye....


VIOLET-tameez se baat karo RAAZ.....tumhe andaza bhi nahi hai ki tumhare saath kya kya ho sakta hai....

MAI-maine galat kya kaha...agar aap sab capable hote toh kisiprimary school ke teachers ki tarah thodi hi yahan first PHASE me padha rahe hote...

aur WHIZZ,mujhe dhamkana band kijiye...iska koi faayda hai nahi..

you know what,hamare earth me kehte hain,

ki sawal ke saath jawab bhi
CHAND RAKH....

agar sun nahi sakta,
toh khud bhi mooh BAND RAKH...



mere khayal se aap sabko bhi is muhavare ki class leni chahiye....

bolo utna jitna baad me jhel sako...mujhe manners ka gyan dene se pehle aap sab apne kaam se kaam rakhna sikh jaaye toh behtar hai....


ye bol mai wapas palta aur baahar ki taraf jaane laga par door ke paas rook mai wapas palta aur...


MAI-aap sab hamare WHIZZ aur WHIZZDERS hain,hamare teacher hain..but kehte hain ki jo hamesha sikhna chahe,wahi acha teacher ban sakta hai...

issi tark par ek chota sa gyan hai..ho sake toh positively lijiyega...


ki behas agar jitni hai, toh
baatein SEHNA SIKHO....

aur jo naa seh sako
TOH AUKAAD ME REHNA SIKHO...








AAJ KE LIYE ITNA HI....




AAPKA APNA V.J....
 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF SABHI SAVENTS CLASS ME ATTENTIVELY DHYAN DE RAHE HAIN WAHIN RAAZ KA FOCUS NIL HAI.


AB AAGE:-




CHAPTER-1


(UNFOLD THE RAAZ)




UPDATE-17




PLANET- ELYSIAN


PLACE-CHOSEN'S HOSTEL




TUJHE JAANA HAI TOH JAA,PAR MUJHE APNI BEIZATTI KARANE KA KOI SHOUK NAHI HAI...


ye bol nikle the SLUNDER ke mooh se....


shaam ka waqt hai... subah class khatm hone ke baad jab saare SAVENTS wapas jaa rahe the aur RAAZ ko OMMIN WHIZZDER ne awaaz dekar roka tha,toh aisa hote hue ACHHUTA aur SLUNDER ne dekha tha...

unka man tha RAAZ aur OMMIN WHIZZDER ki baat sunne ka,but wo dono hi ye jaante the ki ye koi normal aur mamuli istitution toh hai nahi....

jisme wo taaka jhaanki karenge aur pata nahi chalega...wahin RAAZ ke ATTITUDE ko dekh wo ye samajh gaye the ki OMMIN sir ne agar usse kuch kaha toh RAAZ unhe bhi suna dega...

aur isiliye unhe dar tha ki kahin OMMIN WHIZZDER aur baaki instructors ke ghusse ke radar me RAAZ ke saath saath wo bhi naa aajayen isiliye wo dono wahan se nikal liye the...

par jahan ek taraf SLUNDER kuch hi der me is baat ko bhul gaya tha wahin ACCHUTA ki khujli ka kida jaaga hua tha aur isiliye shaam ko thakan kam hote hi usne SLUNDER ko RAAZ ke paas chalne ko kaha jisse sun SLUNDER ne mana karte hue apni baat kahi thi..


ACHHUTA-haan beta..tu toh apne planet ka king hai naa jiski kabhi beizatti hui hi nahi hai...

abbe chal naa, RAAZ se puchte hain ki OMMIN WHIZZDER ne usse kyun roka tha...


ye bol usse ACCHUTA khinchte hue RAAZ ke room ki taraf le jaane laga...


SLUNDER-abbe saale, pehle apna haath mujhse door tak... pata nahi kahan kahan khujlate rehta hai....

kisi jaanwar se bhi zyada bacteria honge tere andar...


ACCHUTA-jaanwar kyun bol raha hai???sidhe sidhe apna naam nahi le sakta kya????

tu kisi jaanwar se kam thodi naa hai...aur saale,jitna bacteria mere pure body me nahi hoga naa,usse zyada toh tu apne daanth me liye ghumta hoga....


ACCHUTA ki baat sun SLUNDER ka dimag kharab ho gaya...


SLUNDER-saale teri tarah nahi hun mai jo saal me ek baar brush karta hai..mai daily 2 baar brush karta hun...

mere mooh me aur daanton me bacteria ho hi nahi sakta...

ACCHUTA-ab bhai hamare daanth normal size ke hain...saal me ek baar bhi karen toh pure saaf ho jaate hain...

but bhai,tere daanton ke size ke hisaab se toh tujhe din me kamsekam 50 baar brush karna chahiye...


ACCHUTA ki baat sun garam ho SLUNDER usse dhakka de wapas apne room ki taraf mood gaya but....


ACCHUTA-arre bhai,tu toh naraz ho gaya....mai toh mazak kar raha tha..ab doston ke beech toh mazak chalta rehta hai naa...


SLUNDER ko rokte hue ACHHUTA ne apni baat kahi....


SLUNDER-tu kab mera dost ban gaya...tujhse dosti karne se acha mai zindagi bhar akela hi rahun...

ACCHUTA-abbe dosti bola maine,propose nahi kiya hai tujhe jo zindagi bhar nibhane ke liye bol raha hai....

aur ab tu bata,tune bhi toh mujhse ulti baat kahi,par mai toh naaraaz nahi hua..

phir RAAZ ki baat ko tu kyun itna dil par le raha hai...lena hi hai toh muh me le le....


SLUNDER-tu toh hai hi besharam..ek minute,kya bola tu...

saale,tera mooh hai ya chaddi...jab bhi khulta hai,lou***a hi nikalta hai....

ACHHUTA- kya baat hai!!!!baatein karna sikh gaya lounda....

lekin bhai, tu mere mooh ko chaddi bol raha hai jabki tu apne naam ke saath LU***D chipkaye ghum raha hai ....

SLUNDER-Tujhse baat hi karna bekar hai...mai chala...


ye bol SLUNDER wapas muda hi tha ki....


ACHHUTA-yaar tu fir serious ho gaya...chal thik hai bhai,tu jeeta mai haara,khush...

chal ab RAAZ ke room chalte hain..nahi toh yahin khade khade raat ho jaani hai...


ye bol halka push karte karte ACHHUTA SLUNDER ko liye RAAZ ke room ki taraf chal pada....



PLACE-ALFREEN'S ABODE



GOOD EVENING UNCLE....GOOD EVENING AUNTY.....


ye awaaz thi MAHI ki jo just ALFREEN ke ghar pahunchi thi....


FLORIN-good evening angel....kya baat hai!!!aaj toh hamari super energetic MAHI bhi thaki thaki lag rahi hai....

MAHI-aaj institution me humne apna first mode active karne ki koshish ki thi...ussiki wajah se thodi weakness lag rahi hai...

ALFREEN ne toh bataya hoga aapko....!!!!

HAAN,BATAYA THA...AUR USKI HAALAT BHI SAME HI HAI..JAB SE INSTITUTION SE WAPAS AAYI HAI,APNE ROOM ME HI HAI....


ye awaaz thi MARIA ki jo piche room se MAHI aur FLORIN ki tataf aayi thi...


MAHI-wo abhi tak so rahi hai???

MARIA-may be!!!2 ghante pehle jab mai uske room me gayi thi,tab toh wo soyi hui hi thi....

FLORIN-uth jaayegi.... MAHI,coffee piyogi....

MAHI-no uncle,thanks..abhi apne ABODE se kuch snacks khakar hi aa rahi ho...

MARIA-haan,toh coffee se kaun sa pet bhar jaayega...aur upar se yahan coffee chhodo,kuch bhi banane ke liye mehenat hi nahi lagti...

jo bhi chahiye,bas bol do,wo chiz turant saamne aajaati hai....

3 COFFEES.....


MARIA ke aisa kehte hi unke saamne teen coffee se bhare mug prakat hue jisse haste hue teeno ne utha liya...


MAHI-VRADAHAN KAROTI.....

ye wish grant ki spell hai jisse is planet ke har ghar me uccharit kiya gaya hai...

issiki wajah se jo bhi regular stuffs mango,haazir ho jaata hai....

FLORIN-arre waah..tumne toh spells yaad rakhne bhi shuru kar diye hain....

MAHI-par kya faayda uncle..maza toh tab aaye jab bole gaye spells kaam bhi karen....

warna toh wo sab sirf shabd hi hain.....

FLORIN-arre beta,din hi kitne hue hain tum logon ko yahan aaye...????

aur upar se aaj hi toh tumhare practical koshishen shuru hui hain...

time toh lagega hi naa....

MAHI-wo toh hai uncle...aur aap dekhna,sabse jaldi spells ko kaam me laana mai aur ALFREEN hi shuru karenge...

FLORIN-now that's my girl.....


FLORIN aur MARIA MAHI ki baat sun bohot khush hue the...kyunki MAHI ne sirf khudki nahi balki unki beti ki bhi baat ki thi...

isse unhe pata chal gaya tha ki MAHI dil se ALFREEN ko apna friend maanti hai....

jahan ye dono is baat ko lekar man hi man khush ho rahe the,wahin MAHI ke dimag me bhi kuch chal raha tha aur isiliye.....


MAHI-uncle,aunty,can i ask you guyz something???

MARIA-tumhe permission ki zaroorat kab se padh gayi..tum humse kuch bhi puch sakti ho....

MAHI-its about RAAZ.....


RAAZ ka naam sun FLORIN aur MARIA chownke but fir....


FLORIN-what about him????

MAHI-anything...i mean usse aap dono ne hi paala hai...toh uske baare me sabse zyada toh aap dono hi jaante honge...

MARIA- RAAZ bilkul apne naam ki hi tarah hai....ek RAAZ...usse samjha nahi jaa sakta....

agar quote me kahen toh he is a writing without a language....


MARIA ki baat sun FLORIN aur MAHI muskura diye....


MAHI-fir bhi..i mean,wahan aapke orphanage me,uske school me uska ravaiyya, behaviour, ATTITUDE kaisa tha????


KAISA HOGA???WAISA HI HOGA JAISA ABHI HAI...GHATIYA....JHAGDAALU.... THANKLESS UNGRATEFUL MORON....


ye awaaz thi ALFREEN ki jo abhi abhi apne room se nikal stairs se hote hue niche aayi thi aur aate hi usse MAHI ke puche gaye sawal sunayi diye jisse sun uske aankhon ke saamne RAAZ ka chehra aa gaya aur uske mooh se RAAZ ki taarif ke shabd nikle....

wahin RAAZ ke liye ALFREEN ki baat sun MARIA aur FLORIN chownke....


MARIA-ye sab kya keh rahi hai AL...????

ALFREEN-us MORON ki identify bata rahi hun....ek coffee....


ALFREEN ke coffee kehte hi uske saamne bhi ek coffee ka mug aa chuka tha...

par ALFREEN ki baat sun MARIA aur FLORIN samajh gaye the ki zaroor unki beti aur RAAZ ke beech kuch hua hai aur isiliye....


FLORIN-kuch hua hai kya tere aur RAAZ ke beech!!!!


FLORIN ki baat sun ALFREEN kuch bolne hi waali thi ki....


MAHI-kuch khaas nahi uncle..bas thodi behas ho gayi thi usse....

ALFREEN-thodi behes....!!!!usne hume kitna kuch suna diya aur tu thodi si behes bol rahi hai....

hume toh chhod,usne toh OPHILIA WHIZZ ki bhi respect nahi ki...


jahan MAHI baat ko dabana chahti thi,wahin ALFREEN ki RAAZ ke liye chidh ne usse kaafi kuch ugalwa diya tha jisse sun MARIA aur FLORIN dono hi firse chownke the...


FLORIN- OPHILIA WHIZZ toh tumhare is PHASE ki teacher hain naa...unse bhi RAAZ ki behas ho gayi....

ALFREEN-Behes nahi pops,usne WHIZZ ki insult ki...


fir ALFREEN ne MARIA aur FLORIN ko bataya ki institution me aaj kya kya hua tha jisse sun MARIA aur FLORIN aur zyada shocked ho gaye...

par RAAZ ne jo ALFREEN se kaha tha,usse sun MARIA ko RAAZ par ghussa aa gaya tha...


MARIA-how can he say such words to our daughter???i think we should complaint this matter to the authority....


MARIA ne FLORIN se ye baat kahi jo apne hi soch me goom the....


FLORIN-MAHI,ek baat batao....kya RAAZ khud chalkar tum dono ke paas aaya aur ye saari baatein kahin????

MAHI-nahi uncle,hum dono gaye the uske paas....

FLORIN-aur WHIZZ se uski jo behes hui,uski shuruat kisne ki thi....???

MAHI-shuruat jaisi koi baat thi hi nahi uncle... RAAZ books lekar nahi aaya tha,aur WHIZZ ne bas ussike baare me usse pucha tha but usne ulta jawab diya...

FLORIN-kya tha uska jawab????

MAHI-man nahi kiya...ye tha uska answer....


MAHI ki baat sun FLORIN muskura uthe aur....


FLORIN-jahan tak mujhe lagta hai,in sab me RAAZ ki puri galti nahi hai...


FLORIN ki baat sun chehre par hairani aur sawal liye teeno unki taraf dekhne lage jisse FLORIN ne bhi bhaamp liya aur.....


FLORIN-aag se agar haath jal jaaye toh isme aag ka kya kusoor....???


wo toh hota hi garam hai..bana hi jalane ke liye hai....ehtiyat haath ko baratni chahiye...usse aag ko chhuna hi nahi chahiye....


FLORIN ki baat ka matlab teeno ladies samajh chuke the...


ALFREEN-but pops,hum toh bas usse samjhane gaye the ki WHIZZ se aise baat nahi karni chahiye..


FLORIN-haath ne bhi toh aag ko bas chhua tha,usse maara nahi tha...but chhune bhar se hi jal gaya naa....

beta aag ki hi tarah har kisi ki apni fitrat hoti hai..aur wo fitrat uski haqiqat hoti hai..uski pehchaan hoti hai..

kyunki hum aise hain,ek certain tarike,trend ko follow kar chalte hain,toh iska ye matlab nahi ki har koi wahi kare...

aur RAAZ toh ek unique case hai...wo khudse kabhi kisi ko chhedta nahi, par agar koi usse chedde,toh wo chhodta nahi....

MAHI-ye baat toh thik hai uncle but humne usse chheda nahi tha bas normal baatein hi ki thi...

FLORIN-aisa tumhe lagta hai....but tumhari soch tumpar laagu hoti hai, RAAZ par nahi...jo tumhare liye sirf baatein hain,uske liye taunt hai..uski zindagi me koi kisi bhi tarah dakhal de, ye usse pasand nahi...

tumne usse wo bola jisse usse bura laga isiliye usne tumhe wo bola jisse tum dono ko bura laga....

wo shuru se hi aisa hai...wo kabhi kisi se khud nahi bhidta..apne kaam se kaam rakhta hai...jo dil aaye wo karta hai,but kisi dusre ka nuksaan nahi karta...

bas apne me rehta hai..but agar koi uske ravaiye par sawal kare,usse gyan de toh usse pasand nahi...

ALFREEN-but jo usne WHIZZ se kaha,kya wo bhi sahi tha???

FLORIN-bilkul nahi..but uski baat me ek point tha...

ALFREEN-point..kaisa point???

FLORIN-yahi ki usse yahan bulaya gaya hai,wo khud yahan nahi aaya hai....ab uska dil karega toh wo yahan padhega warna usse bound nahi kiya jaa sakta...

haan,agar class ke dauran usne kisi aur ko disturb kiya hota,toh wo completely galat hota but i am damn sure,ki usne aisa kuch nahi kiya hoga....

kyunki usse matlab hi nahi hai ki kaun kya kar raha hai???

aur rahi baat uski tumhare WHIZZ ke saath behaviour ki,to usse tum logon ka kya lena dena???

us matter ko apne WHIZZ par chhod do..ab ye unhe decide karna hai ki RAAZ ko kaise handle kiya jaaye...

it's none of your business,right!!!!


FLORIN ki baat sahi thi jispar naa toh MAHI aur naahi ALFREEN behes kar sakte the but unke andar ka haal alag tha...

jo insult RAAZ ne un dono ki thi,usse itni asaani se wo dono bhul nahi sakti thi aur isiliye...


MAHI'S/ALFREEN'S MIND-hum OPHILIA WHIZZ nahi hain jo usse itni asaani se jaane denge....

JANNAT hai ye jagah,but RAAZ,tere liye hum isse NARK bana denge.....



BACK TO HERO:-




ABBE ITNI DER SE HUM BHONKE JAA RAHE HAIN,KUCH TOH JAWAB DE DE BHAI....


ye shabd nikle the ACHHUTA ke mooh se...

reason....


shaam ka waqt hai..mai apne room me baitha hi hua tha ki tabhi ACCHUTA aur SLUNDER padhare...

mere subah bole baaton ki wajah se SLUNDER toh chup hi raha but ACCHUTA bhai sahab ko chain kahan....

wo mujhse puch raha tha ki OMMIN WHIZZDER ne mujhe kyun roka tha..????

but jab 2,3 baar puchne par bhi maine koi jawab nahi diya toh wo thoda jhunjla utha....

is baar bhi maine kuch nahi kaha par jawab ACCHUTA ko mila, SLUNDER se....


SLUNDER-hum nahi tu bhonk raha hai...aur agar usse jawab dena hota toh pehli baar me hi de deta....

jab wo interested nahi hai toh fir fizul me apna time waste kyun kar raha hai....???

chal,chalte hain yahan se.....


ye bol SLUNDER wapas muda hi tha ki....


MAI-ek minute....tune aaj sirf apni ek hi book yahan se li thi..ye teri dusri book yahi reh gayi thi....


ye bol maine FORBIDDEN FOREST naam ki uski book apne pillow ke neeche se nikal usse de di....


SLUNDER-thanks...waise RAAZ,kya tu yahan comfortable nahi hai...agar koi problem hai toh tu humse share kar sakta hai,shayad hum teri koi help kar den....

MAI-CARAPACE se hai naa tu....

SLUNDER-haan,kyun???

MAI-ye book toh first PHASE ki hai nahi,fir tujhe ye kahan se mili..???

meri baat sun SLUNDER halka bechain ho gaya tha but khud ko control kar...


SLUNDER-ye toh mai apne ghar se lekar aaya tha..mujhe adventurous books padhna bohot pasand hai....

par tu ye sab kyun puch raha hai...????

MAI-tune share shabd bola,toh ye khayal aa gaya....


maine uski aankhon me dekh ye baat boli jisse sun wo ek baar firse bechain ho gaya tha....


ACHHUTA-arre ye kya baat lekar baith gaye dono..yaar RAAZ,tu batana,tujhe OMMIN WHIZZDER kya keh rahe the???

kya OPHILIA WHIZZ se hui teri behas ke liye tujhe koi punishment mili hai...

ya koi aur secret hai..yaar,ab hum PHASEMATES hain...tu apne secrets humse share kar sakta hai....

MAI-pehle tu ek baat bata
..ye SLUNDER kabhi tujhse thik se baat nahi karta,aur naahi tu sidhe mooh isse kuch kehta hai...

but fir bhi tum dono hamesha saath hi rehte ho...kyun???

ACCHUTA-arre,mai toh bas iske saath mazak karta hun,aur kuch nahi...

MAI- kya baat hai....aag aur paani bhi mix ho sakte hain, pehli baar dekh raha hun....


is baar bechain hone ki baari ACCHUTA ki thi...

but same feeling SLUNDER me bhi thi...


ACCHUTA-bhai,hum puch kya rahe hain,tu bol kya raha hai???

MAI-wo tune bhi share shabd bola naa,toh ye khayal aa gaya....

ACHHUTA-teri baatein bhi tere naam ki hi tarah hain,RAAZ....


haste hue ACCHUTA ne apni baat kahi but aaj pehli baar ACCHUTA ki hasi me nervousness ki milawat thi.....


MAI-RAAZ....is shabd ke maayne se ek aur baat zehen me uth rahi hai,but wo bhi ek parable jaisi hi hai,kaho toh bolun...????


meri baat sun dono ki aakhon me sawal aur chehron me bechaini dikhne lagi thi...


MAI-jo log apni TANHAIYON se nikal dusron ki KHAMOSHI me dakhal dete hain,aksar shor macha uththe hain unke RAAZ.....






AAJ KE LIYE ITNA HI......




AAPKA APNA V.J.....
 
758
829
93
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF SABHI SAVENTS CLASS ME ATTENTIVELY DHYAN DE RAHE HAIN WAHIN RAAZ KA FOCUS NIL HAI.


AB AAGE:-




CHAPTER-1


(UNFOLD THE RAAZ)




UPDATE-17




PLANET- ELYSIAN


PLACE-CHOSEN'S HOSTEL




TUJHE JAANA HAI TOH JAA,PAR MUJHE APNI BEIZATTI KARANE KA KOI SHOUK NAHI HAI...


ye bol nikle the SLUNDER ke mooh se....


shaam ka waqt hai... subah class khatm hone ke baad jab saare SAVENTS wapas jaa rahe the aur RAAZ ko OMMIN WHIZZDER ne awaaz dekar roka tha,toh aisa hote hue ACHHUTA aur SLUNDER ne dekha tha...

unka man tha RAAZ aur OMMIN WHIZZDER ki baat sunne ka,but wo dono hi ye jaante the ki ye koi normal aur mamuli istitution toh hai nahi....

jisme wo taaka jhaanki karenge aur pata nahi chalega...wahin RAAZ ke ATTITUDE ko dekh wo ye samajh gaye the ki OMMIN sir ne agar usse kuch kaha toh RAAZ unhe bhi suna dega...

aur isiliye unhe dar tha ki kahin OMMIN WHIZZDER aur baaki instructors ke ghusse ke radar me RAAZ ke saath saath wo bhi naa aajayen isiliye wo dono wahan se nikal liye the...

par jahan ek taraf SLUNDER kuch hi der me is baat ko bhul gaya tha wahin ACCHUTA ki khujli ka kida jaaga hua tha aur isiliye shaam ko thakan kam hote hi usne SLUNDER ko RAAZ ke paas chalne ko kaha jisse sun SLUNDER ne mana karte hue apni baat kahi thi..


ACHHUTA-haan beta..tu toh apne planet ka king hai naa jiski kabhi beizatti hui hi nahi hai...

abbe chal naa, RAAZ se puchte hain ki OMMIN WHIZZDER ne usse kyun roka tha...


ye bol usse ACCHUTA khinchte hue RAAZ ke room ki taraf le jaane laga...


SLUNDER-abbe saale, pehle apna haath mujhse door tak... pata nahi kahan kahan khujlate rehta hai....

kisi jaanwar se bhi zyada bacteria honge tere andar...


ACCHUTA-jaanwar kyun bol raha hai???sidhe sidhe apna naam nahi le sakta kya????

tu kisi jaanwar se kam thodi naa hai...aur saale,jitna bacteria mere pure body me nahi hoga naa,usse zyada toh tu apne daanth me liye ghumta hoga....


ACCHUTA ki baat sun SLUNDER ka dimag kharab ho gaya...


SLUNDER-saale teri tarah nahi hun mai jo saal me ek baar brush karta hai..mai daily 2 baar brush karta hun...

mere mooh me aur daanton me bacteria ho hi nahi sakta...

ACCHUTA-ab bhai hamare daanth normal size ke hain...saal me ek baar bhi karen toh pure saaf ho jaate hain...

but bhai,tere daanton ke size ke hisaab se toh tujhe din me kamsekam 50 baar brush karna chahiye...


ACCHUTA ki baat sun garam ho SLUNDER usse dhakka de wapas apne room ki taraf mood gaya but....


ACCHUTA-arre bhai,tu toh naraz ho gaya....mai toh mazak kar raha tha..ab doston ke beech toh mazak chalta rehta hai naa...


SLUNDER ko rokte hue ACHHUTA ne apni baat kahi....


SLUNDER-tu kab mera dost ban gaya...tujhse dosti karne se acha mai zindagi bhar akela hi rahun...

ACCHUTA-abbe dosti bola maine,propose nahi kiya hai tujhe jo zindagi bhar nibhane ke liye bol raha hai....

aur ab tu bata,tune bhi toh mujhse ulti baat kahi,par mai toh naaraaz nahi hua..

phir RAAZ ki baat ko tu kyun itna dil par le raha hai...lena hi hai toh muh me le le....


SLUNDER-tu toh hai hi besharam..ek minute,kya bola tu...

saale,tera mooh hai ya chaddi...jab bhi khulta hai,lou***a hi nikalta hai....

ACHHUTA- kya baat hai!!!!baatein karna sikh gaya lounda....

lekin bhai, tu mere mooh ko chaddi bol raha hai jabki tu apne naam ke saath LU***D chipkaye ghum raha hai ....

SLUNDER-Tujhse baat hi karna bekar hai...mai chala...


ye bol SLUNDER wapas muda hi tha ki....


ACHHUTA-yaar tu fir serious ho gaya...chal thik hai bhai,tu jeeta mai haara,khush...

chal ab RAAZ ke room chalte hain..nahi toh yahin khade khade raat ho jaani hai...


ye bol halka push karte karte ACHHUTA SLUNDER ko liye RAAZ ke room ki taraf chal pada....



PLACE-ALFREEN'S ABODE



GOOD EVENING UNCLE....GOOD EVENING AUNTY.....


ye awaaz thi MAHI ki jo just ALFREEN ke ghar pahunchi thi....


FLORIN-good evening angel....kya baat hai!!!aaj toh hamari super energetic MAHI bhi thaki thaki lag rahi hai....

MAHI-aaj institution me humne apna first mode active karne ki koshish ki thi...ussiki wajah se thodi weakness lag rahi hai...

ALFREEN ne toh bataya hoga aapko....!!!!

HAAN,BATAYA THA...AUR USKI HAALAT BHI SAME HI HAI..JAB SE INSTITUTION SE WAPAS AAYI HAI,APNE ROOM ME HI HAI....


ye awaaz thi MARIA ki jo piche room se MAHI aur FLORIN ki tataf aayi thi...


MAHI-wo abhi tak so rahi hai???

MARIA-may be!!!2 ghante pehle jab mai uske room me gayi thi,tab toh wo soyi hui hi thi....

FLORIN-uth jaayegi.... MAHI,coffee piyogi....

MAHI-no uncle,thanks..abhi apne ABODE se kuch snacks khakar hi aa rahi ho...

MARIA-haan,toh coffee se kaun sa pet bhar jaayega...aur upar se yahan coffee chhodo,kuch bhi banane ke liye mehenat hi nahi lagti...

jo bhi chahiye,bas bol do,wo chiz turant saamne aajaati hai....

3 COFFEES.....


MARIA ke aisa kehte hi unke saamne teen coffee se bhare mug prakat hue jisse haste hue teeno ne utha liya...


MAHI-VRADAHAN KAROTI.....

ye wish grant ki spell hai jisse is planet ke har ghar me uccharit kiya gaya hai...

issiki wajah se jo bhi regular stuffs mango,haazir ho jaata hai....

FLORIN-arre waah..tumne toh spells yaad rakhne bhi shuru kar diye hain....

MAHI-par kya faayda uncle..maza toh tab aaye jab bole gaye spells kaam bhi karen....

warna toh wo sab sirf shabd hi hain.....

FLORIN-arre beta,din hi kitne hue hain tum logon ko yahan aaye...????

aur upar se aaj hi toh tumhare practical koshishen shuru hui hain...

time toh lagega hi naa....

MAHI-wo toh hai uncle...aur aap dekhna,sabse jaldi spells ko kaam me laana mai aur ALFREEN hi shuru karenge...

FLORIN-now that's my girl.....


FLORIN aur MARIA MAHI ki baat sun bohot khush hue the...kyunki MAHI ne sirf khudki nahi balki unki beti ki bhi baat ki thi...

isse unhe pata chal gaya tha ki MAHI dil se ALFREEN ko apna friend maanti hai....

jahan ye dono is baat ko lekar man hi man khush ho rahe the,wahin MAHI ke dimag me bhi kuch chal raha tha aur isiliye.....


MAHI-uncle,aunty,can i ask you guyz something???

MARIA-tumhe permission ki zaroorat kab se padh gayi..tum humse kuch bhi puch sakti ho....

MAHI-its about RAAZ.....


RAAZ ka naam sun FLORIN aur MARIA chownke but fir....


FLORIN-what about him????

MAHI-anything...i mean usse aap dono ne hi paala hai...toh uske baare me sabse zyada toh aap dono hi jaante honge...

MARIA- RAAZ bilkul apne naam ki hi tarah hai....ek RAAZ...usse samjha nahi jaa sakta....

agar quote me kahen toh he is a writing without a language....


MARIA ki baat sun FLORIN aur MAHI muskura diye....


MAHI-fir bhi..i mean,wahan aapke orphanage me,uske school me uska ravaiyya, behaviour, ATTITUDE kaisa tha????


KAISA HOGA???WAISA HI HOGA JAISA ABHI HAI...GHATIYA....JHAGDAALU.... THANKLESS UNGRATEFUL MORON....


ye awaaz thi ALFREEN ki jo abhi abhi apne room se nikal stairs se hote hue niche aayi thi aur aate hi usse MAHI ke puche gaye sawal sunayi diye jisse sun uske aankhon ke saamne RAAZ ka chehra aa gaya aur uske mooh se RAAZ ki taarif ke shabd nikle....

wahin RAAZ ke liye ALFREEN ki baat sun MARIA aur FLORIN chownke....


MARIA-ye sab kya keh rahi hai AL...????

ALFREEN-us MORON ki identify bata rahi hun....ek coffee....


ALFREEN ke coffee kehte hi uske saamne bhi ek coffee ka mug aa chuka tha...

par ALFREEN ki baat sun MARIA aur FLORIN samajh gaye the ki zaroor unki beti aur RAAZ ke beech kuch hua hai aur isiliye....


FLORIN-kuch hua hai kya tere aur RAAZ ke beech!!!!


FLORIN ki baat sun ALFREEN kuch bolne hi waali thi ki....


MAHI-kuch khaas nahi uncle..bas thodi behas ho gayi thi usse....

ALFREEN-thodi behes....!!!!usne hume kitna kuch suna diya aur tu thodi si behes bol rahi hai....

hume toh chhod,usne toh OPHILIA WHIZZ ki bhi respect nahi ki...


jahan MAHI baat ko dabana chahti thi,wahin ALFREEN ki RAAZ ke liye chidh ne usse kaafi kuch ugalwa diya tha jisse sun MARIA aur FLORIN dono hi firse chownke the...


FLORIN- OPHILIA WHIZZ toh tumhare is PHASE ki teacher hain naa...unse bhi RAAZ ki behas ho gayi....

ALFREEN-Behes nahi pops,usne WHIZZ ki insult ki...


fir ALFREEN ne MARIA aur FLORIN ko bataya ki institution me aaj kya kya hua tha jisse sun MARIA aur FLORIN aur zyada shocked ho gaye...

par RAAZ ne jo ALFREEN se kaha tha,usse sun MARIA ko RAAZ par ghussa aa gaya tha...


MARIA-how can he say such words to our daughter???i think we should complaint this matter to the authority....


MARIA ne FLORIN se ye baat kahi jo apne hi soch me goom the....


FLORIN-MAHI,ek baat batao....kya RAAZ khud chalkar tum dono ke paas aaya aur ye saari baatein kahin????

MAHI-nahi uncle,hum dono gaye the uske paas....

FLORIN-aur WHIZZ se uski jo behes hui,uski shuruat kisne ki thi....???

MAHI-shuruat jaisi koi baat thi hi nahi uncle... RAAZ books lekar nahi aaya tha,aur WHIZZ ne bas ussike baare me usse pucha tha but usne ulta jawab diya...

FLORIN-kya tha uska jawab????

MAHI-man nahi kiya...ye tha uska answer....


MAHI ki baat sun FLORIN muskura uthe aur....


FLORIN-jahan tak mujhe lagta hai,in sab me RAAZ ki puri galti nahi hai...


FLORIN ki baat sun chehre par hairani aur sawal liye teeno unki taraf dekhne lage jisse FLORIN ne bhi bhaamp liya aur.....


FLORIN-aag se agar haath jal jaaye toh isme aag ka kya kusoor....???


wo toh hota hi garam hai..bana hi jalane ke liye hai....ehtiyat haath ko baratni chahiye...usse aag ko chhuna hi nahi chahiye....


FLORIN ki baat ka matlab teeno ladies samajh chuke the...


ALFREEN-but pops,hum toh bas usse samjhane gaye the ki WHIZZ se aise baat nahi karni chahiye..


FLORIN-haath ne bhi toh aag ko bas chhua tha,usse maara nahi tha...but chhune bhar se hi jal gaya naa....

beta aag ki hi tarah har kisi ki apni fitrat hoti hai..aur wo fitrat uski haqiqat hoti hai..uski pehchaan hoti hai..

kyunki hum aise hain,ek certain tarike,trend ko follow kar chalte hain,toh iska ye matlab nahi ki har koi wahi kare...

aur RAAZ toh ek unique case hai...wo khudse kabhi kisi ko chhedta nahi, par agar koi usse chedde,toh wo chhodta nahi....

MAHI-ye baat toh thik hai uncle but humne usse chheda nahi tha bas normal baatein hi ki thi...

FLORIN-aisa tumhe lagta hai....but tumhari soch tumpar laagu hoti hai, RAAZ par nahi...jo tumhare liye sirf baatein hain,uske liye taunt hai..uski zindagi me koi kisi bhi tarah dakhal de, ye usse pasand nahi...

tumne usse wo bola jisse usse bura laga isiliye usne tumhe wo bola jisse tum dono ko bura laga....

wo shuru se hi aisa hai...wo kabhi kisi se khud nahi bhidta..apne kaam se kaam rakhta hai...jo dil aaye wo karta hai,but kisi dusre ka nuksaan nahi karta...

bas apne me rehta hai..but agar koi uske ravaiye par sawal kare,usse gyan de toh usse pasand nahi...

ALFREEN-but jo usne WHIZZ se kaha,kya wo bhi sahi tha???

FLORIN-bilkul nahi..but uski baat me ek point tha...

ALFREEN-point..kaisa point???

FLORIN-yahi ki usse yahan bulaya gaya hai,wo khud yahan nahi aaya hai....ab uska dil karega toh wo yahan padhega warna usse bound nahi kiya jaa sakta...

haan,agar class ke dauran usne kisi aur ko disturb kiya hota,toh wo completely galat hota but i am damn sure,ki usne aisa kuch nahi kiya hoga....

kyunki usse matlab hi nahi hai ki kaun kya kar raha hai???

aur rahi baat uski tumhare WHIZZ ke saath behaviour ki,to usse tum logon ka kya lena dena???

us matter ko apne WHIZZ par chhod do..ab ye unhe decide karna hai ki RAAZ ko kaise handle kiya jaaye...

it's none of your business,right!!!!


FLORIN ki baat sahi thi jispar naa toh MAHI aur naahi ALFREEN behes kar sakte the but unke andar ka haal alag tha...

jo insult RAAZ ne un dono ki thi,usse itni asaani se wo dono bhul nahi sakti thi aur isiliye...


MAHI'S/ALFREEN'S MIND-hum OPHILIA WHIZZ nahi hain jo usse itni asaani se jaane denge....

JANNAT hai ye jagah,but RAAZ,tere liye hum isse NARK bana denge.....



BACK TO HERO:-




ABBE ITNI DER SE HUM BHONKE JAA RAHE HAIN,KUCH TOH JAWAB DE DE BHAI....


ye shabd nikle the ACHHUTA ke mooh se...

reason....


shaam ka waqt hai..mai apne room me baitha hi hua tha ki tabhi ACCHUTA aur SLUNDER padhare...

mere subah bole baaton ki wajah se SLUNDER toh chup hi raha but ACCHUTA bhai sahab ko chain kahan....

wo mujhse puch raha tha ki OMMIN WHIZZDER ne mujhe kyun roka tha..????

but jab 2,3 baar puchne par bhi maine koi jawab nahi diya toh wo thoda jhunjla utha....

is baar bhi maine kuch nahi kaha par jawab ACCHUTA ko mila, SLUNDER se....


SLUNDER-hum nahi tu bhonk raha hai...aur agar usse jawab dena hota toh pehli baar me hi de deta....

jab wo interested nahi hai toh fir fizul me apna time waste kyun kar raha hai....???

chal,chalte hain yahan se.....


ye bol SLUNDER wapas muda hi tha ki....


MAI-ek minute....tune aaj sirf apni ek hi book yahan se li thi..ye teri dusri book yahi reh gayi thi....


ye bol maine FORBIDDEN FOREST naam ki uski book apne pillow ke neeche se nikal usse de di....


SLUNDER-thanks...waise RAAZ,kya tu yahan comfortable nahi hai...agar koi problem hai toh tu humse share kar sakta hai,shayad hum teri koi help kar den....

MAI-CARAPACE se hai naa tu....

SLUNDER-haan,kyun???

MAI-ye book toh first PHASE ki hai nahi,fir tujhe ye kahan se mili..???

meri baat sun SLUNDER halka bechain ho gaya tha but khud ko control kar...


SLUNDER-ye toh mai apne ghar se lekar aaya tha..mujhe adventurous books padhna bohot pasand hai....

par tu ye sab kyun puch raha hai...????

MAI-tune share shabd bola,toh ye khayal aa gaya....


maine uski aankhon me dekh ye baat boli jisse sun wo ek baar firse bechain ho gaya tha....


ACHHUTA-arre ye kya baat lekar baith gaye dono..yaar RAAZ,tu batana,tujhe OMMIN WHIZZDER kya keh rahe the???

kya OPHILIA WHIZZ se hui teri behas ke liye tujhe koi punishment mili hai...

ya koi aur secret hai..yaar,ab hum PHASEMATES hain...tu apne secrets humse share kar sakta hai....

MAI-pehle tu ek baat bata
..ye SLUNDER kabhi tujhse thik se baat nahi karta,aur naahi tu sidhe mooh isse kuch kehta hai...

but fir bhi tum dono hamesha saath hi rehte ho...kyun???

ACCHUTA-arre,mai toh bas iske saath mazak karta hun,aur kuch nahi...

MAI- kya baat hai....aag aur paani bhi mix ho sakte hain, pehli baar dekh raha hun....


is baar bechain hone ki baari ACCHUTA ki thi...

but same feeling SLUNDER me bhi thi...


ACCHUTA-bhai,hum puch kya rahe hain,tu bol kya raha hai???

MAI-wo tune bhi share shabd bola naa,toh ye khayal aa gaya....

ACHHUTA-teri baatein bhi tere naam ki hi tarah hain,RAAZ....


haste hue ACCHUTA ne apni baat kahi but aaj pehli baar ACCHUTA ki hasi me nervousness ki milawat thi.....


MAI-RAAZ....is shabd ke maayne se ek aur baat zehen me uth rahi hai,but wo bhi ek parable jaisi hi hai,kaho toh bolun...????


meri baat sun dono ki aakhon me sawal aur chehron me bechaini dikhne lagi thi...


MAI-jo log apni TANHAIYON se nikal dusron ki KHAMOSHI me dakhal dete hain,aksar shor macha uththe hain unke RAAZ.....






AAJ KE LIYE ITNA HI......




AAPKA APNA V.J.....
Nice Update dost 😍
 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF MAHI AUR ALFREEN MAN HI MAN RAAZ KO SABAK SIKHANE KI BAAT SOCH RAHE THE WAHIN RAAZ KE PAHELI NUMA SAWALON SE ACCHUTA AUR SLUNDER THODE BECHAIN HO GAYE THE.


AB AAGE:-



CHAPTER-1


(UNFOLD THE RAAZ)



UPDATE-18



PLANET-ELYSIAN


PLACE - SOVEREIGN OFFICE




COME IN MR & MRS FLORIN.....


ye SHAILA ki awaaz thi jisse sun SOVEREIGN OFFICE ke darwaze ke baahar khade FLORIN aur MARIA andar aaye...


subah ka waqt hai...kal shaam MAHI aur ALFREEN se jo baatein hui thi,usse sun FLORIN aur MARIA dono ka dil kiya ek baar institution jaane ka aur isiliye hi dono yahan hain....


SHAILA-baithiye....

FLORIN/MARIA-thank you.....

SHAILA-toh mr and Mrs FLORIN...kya lenge aap dono....???

FLORIN-nothing ma'am..hum breakfast karke aaye hain....

SHAILA-waise yahan aapko acha toh lag raha hai naa!!!!

facilities to the mark hain yaa fir koi kami hain..agar aapko kuch bhi upgrade chahiye toh jaise aap normally wish kar rahe hain,waise hi jaisa aap change chahen waise hone ke liye bol dijiyega...

aapke man mutabik upgrade ho jaayega.....

FLORIN-nahi ma'am..sab kuch already bohot zyada upgraded hai....and we are completely fine here.....

itbi adbhudh duniya aur rachna ke part banane ka hume mouka mila hai,ye toh humari khushkismati hai....

MARIA-bas ek hi chiz ki kami hai...logon ki....earth me toh hum apne hi orphanage ne rehte the jo baccho se bhara hua rehta tha....

but yahan hum bas teen hi hain..haan, MAHI ke roop me ek aur beti zaroor mil gayi hai par wo aur ALFREEN aadhe se zyada waqt ya toh yahan institution me ya fir room me baith spells sikhne me laga dete hain...

hum dono akele reh jaate hain..aas paas log bhi nahi hai jinse mila jaaye....


MARIA ki baat sun AKSHAANT muskuraye...


AKSHAANT-actually first PHASE me jisme abhi aapki daughter hai,is saal usme total 32 savents hi hain...

jisme se 15 SAVENTS hostlers hain....

ELYSIAN me har PHASE ke students aur unke parents ka thikana alag alag hota hai...

first PHASE ke students ke liye jo ABODE allot hue hain, wo ek dusre se kaafi door hain jiski wajah se PHASE 1 ke parents normally ek dusre se interact nahi kar paate hain....


AKSHAANT ke hostlers waali baat sun FLORIN ko kuch yaad aaya aur....


FLORIN-sir, RAAZ ke orphan hai isiliye usse hostel bheja gaya hai..but MAHI,uske bhi toh parents nahi hain,fir usse ABODE kyun allot hua???

AKSHAANT-is saal MAGIC ke jo base modes hain,jinse MAGIC use me laaya jaata hai,uske baare me ALFREEN ne aapko bataya hai...???

FLORIN-ji,usne kuch teen modes ke baare me bataya tha jisse MAGIC kiya jaa sakta hai...

AKSHAANT-un teen MODES me sabse hard aur efficient mode hota hai ATTACH MODE....

CHOSENS ke pichle 25 years ke itihaas me sirf do aise students hue hain jinhone is mode ko sabse zyada use me laaya hai...

MARIA-par iska MAHI se kya connection....????

AKSHAANT-connection hai...aap sab ko yaad hoga,humari first meeting me aapko bataya gaya tha ki har SAVENT ke paida hone se pehle hi uske jeeven kan paida ho jaate hain aur jab ek SAVENT ka janm hota hai,toh wo kan uski urja shakti se mil jaate hain....

jin do students ki mai baat kar raha hun,un dono ke brain se nikli urja shakti baaki SAVENTS se thodi zyada thi aur same cheez MAHI ke janm ke waqt bhi hui thi....

uske brain ki urja shakti bhi un do students ki hi tarah thodi zyada thi....

issi ka kaaran hai ki MAHI ki jigyasa baakiyon se zyada hai.

aur isiliye hi MAHI ek special case hai jiski wajah se usse ABODE allot hua hai...

FLORIN-matlab MAHI baaki SAVENTS se bohot aage niklegi...

AKSHAANT-zaroori nahi hai...GOD GIFTS kahiye ya fir born talent,bina hard work ke in shabdon ka koi mol nahi...

aur sabse important hai ek positive ATTITUDE.....

for example RAAZ ko hi dekh lijiye....wo bhi toh ek SAVENT hi hai,but kyunki uska ATTITUDE itna questionable hai,ya ye kahun,negetive hai isiliye uska wo god gift,wo talent jisse wo excel kar sakta tha,waste jaa raha hai...


AKSHAANT ki baat sun samajhne waale andaz se MARIA aur FLORIN ne apna sir hilaya....


FLORIN-sir,kya hum ek baar bacchon ke classes,unki training dekh sakte hain???

normal classes toh humne as a student khud bhi attend ki hai,and as parants dekhi bhi hai,but aisi adhbhudh duniya ki padhyai, classes me hone waali practicals,hum ek baar dekhna chahte hain....

AKSHAANT-dekhiye,aap dono institution ke premises me toh nahi jaa sakte kyunki classes ke waqt aisa karna kisi hi parent ko allowed nahi hai,but haan,wo jo room dikh raha hai,wo ek tarah ka lounge hai....

wahan chale jaayiye....sofa ke saamne jo screen hai,usse dekh 1st PHASE,bus itna kahiyega,us screen par aapki beti ki current live class dikhne lagegi....

waise bhi first phase ki class shuru hone hi waali hogi..aap jaaiye,kuch der me mai bhi aata hun...


AKSHAANT ki baat sun MARIA aur FLORIN dono us lounge numa room ki taraf badh gaye...

jaisa ki AKSHAANT ne bataya tha,wahan ek bada sa sofa rakha hua tha jiske saamne ek badi si screen thi...

dono ne sofa ne baith jaise hi 1st PHASE bola,saamne rakhi screen par live 1st PHASE ki class dikhne lagi jo abhi shuru hone hi waali thi....

wahin un dono ke jaane ke baad AKSHAANT ne man hi man SHAILA aur MOKALSAR ko yaad kiya aur agle hi pal wo teeno hi ek dusre se dimag ke zariye jud chuke the...


AKSHAANT-kuch pata chala????

MOKALSAR-nahi....

AKSHAANT-SHAILA!!!!

SHAILA-nahi...URJA ARTHAGATI(energy sensors) ke kuch kan mujhe mujhe mile the...par unka koi saar nahi hai...

saare raaste,unki urja ko mita diya gaya hai.....

aur filhal hamara daayra bhi simit hai....hum us dhake urja ko saamne bhi nahi laa sakte...agar pehle waali baat hoti toh....

AKSHAANT-tum dono wapas aa jaao...

MOKALSAR-par hum yun haar nahi maan sakte....hume us raaste ko dhundna hi hoga...

AKSHAANT-toh maine kab mana kiya hai...par filhal ke liye wapas aa jaao...ek nayi neeti ke saath kuch din baad fir apni khoj me nikalna....

MOKALSAR/SHAILA-thik hai....hum aa rahe hain....

issike saath teeno ka sampark ek dusre se toot gaya..kuch der tak kuch sochte rehne ke baad AKSHAANT bhi uthkar us lounge ki taraf chal diye jahan MARIA aur FLORIN baithe PHASE 1 ki class dekh rahe the....

wahin jaise hi FLORIN aur MARIA ke saamne screen par PHASE 1 ki class dikhne lagi toh unhone dekha ki.....




PLACE-CHOSEN'S LAWN




SO,HOW IS EVERY SAVENT FEELING TODAY....????FRESH YA FIR THAKAN AB BHI HAI...!!!!


OPHILIA WHIZZ ke is sawal par sabhi SAVENTS ke chehron par smile aa gayi...

par is smile me ek nervousness thi jo hamare saamne khade WHIZZES aur WHIZZDERS se chuupi na thi....


OMMIN-arre bataiye,abhi bhi thakan toh nahi hai naa....???

SAVENTS-no WHIZZDER...we are fine...


SAVENTS ke jawab ko sun ek baar phirse un chaaron me chehron par smile aa gayi...

reason....

SAVENTS ka jawab pura sach nahi tha...kal unke dimag ko mile jhatke aur usse aaye thakan ka dar sabhi SAVENTS ke chehron par abhi bhi tha par koi bhi ye nervousness show nahi karna chahta tha isiliye kisine bhi apne dar ka zikr nahi kiya tha...


OPHILIA-toh chahiye fir....kal ki chhodi prakriya fir se shuru karte hain....

baith jaaiye aur kal ki hi tarah fir se koshish kijiye....


OPHILIA WHIZZ ki baat sun ek dusre ko dekhte hue sabhi SAVENTS apni apni jagah baith gaye....

neeche baith sabhi SAVENTS ne apni apni aakhne band ki aur kal hi ki tarah apna apna PAUSE CEREBRATION process shuru kiya.....

but......


aaj wahi process jo ki saare SAVENTS ke liye ek god gift thi,jo wo sabhi bachpan se hi badi asaani se karte aa rahe the,nahi ho paa raha tha....

sabhi ki bas aankhen band thi,but dimag ab bhi shaant nahi hua tha jiski wajah se CEREBRATION process shuru hi tha.

aur rahi RAAZ ki baat toh woh toh waise bhi kal hi ki tarah bas aakhen band kiye baitha tha....

wahin saare SAVENTS se alag ALFREEN aur MAHI ka CEREBRATION process thoda thoda pause mode ki taraf badh chala tha...

jahan ek taraf MAHI kuch 50 percent tak apne dimag ko pause kar paa rahi thi wahin uske baaju me baithi ALFREEN lagbhag 25 percent tak pahunchi thi....

nervousness in dono ko bhi tha,par determination nervousness se zyada tha jis wajah se ye dono kuch hadh tak safal ho rahi thi...

wahin saamne khade chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS jo sabhi SAVENTS ko dekh rahe the,jab unki nazar MAHI aur ALFREEN par padi toh unhe behad khushi hui...

unhe ye bhi andaza ho gaya ki ye dono is PHASE ke best SAVENTS hain....

par saath hi ek sach ye bhi tha ki PAUSE CEREBRATION process brain ke completely 100 percent shaant hone par hi aage ka kaam karta hai aur isiliye hi MAHI aur ALFREEN ki koshish filhal kaam nahi aane waali aur isiliye....


OPHILIA-STOP.....


OPHILIA ka ye stop shabd SAVENTS ke kaano me hi nahi balki un sab ke dimag me bhi gunja tha jiski wajah se sabhi ki aankhen ek baar me hi khul gayi....


OPHILIA- MAHI, ALFREEN...very good...dar ke samandar me himmat ki kashti utarna asaan nahi hai par aap dono ne ye kar dikhaya.....

kuch hadh tak aap dono hi PAUSE CEREBRATION process me kamiyab hue the but unfortunately filhal itna kaafi nahi tha...

and SAVENTS,aap sabko udaas ya maayus hone ki zaroorat nahi hai....

jo aaj aapke saath ho raha hai,wo hum sabke saath hua hai...dimag me lagne waala mamuli se mamuli jhatka achi khaasi chhap chhod jaata hai....

but aap sab fikr na karen,humare paas aap sab ke dar ko kam karne ka tarika hai....

aur ab aap sab wahi tarika aazmaane waale hain....


ye bol chaarom WHIZZ aur WHIZZDERS ne apne apne haath failaye aur...


PRAVAHAM GUNAKARA

CURRENT MULTIPLIER


chaaron ke mooh se is spell ke uccharit hote hi un sabhi ke dono haathon me ek ek urja roopi ball dikhne lagi....


OMMIN-ye jo urja se bani ball aap sab hamare haathon me dekh rahe hain,ye CURRENT MULTIPLIERS ball hain....

inki khaasitat ye hai ki ye jisse bhi chhute hain,uske feelings ke hisaab se khud ki energy levels ko change karte hain....

agar ye kisike haathon me hain aur uske man me jhatke ka dar hai toh inki energy level itni badhegi ki us shaksh ko aur tagde jhatke lagenge...

par agar wo skaksh inhe haathon me lene ke baad bhi confident hain,toh fir ye energy balls jaisa wo shaksh chaahega,waise react karenge....

aayi baat samajh....

SAVENTS-yes WHIZZDER....


sabne yes toh bol diya tha par koi ab tak ye nahi samajh paaya tha ki in current balls ka filhal use kya hai???


VIOLET-ab aap sab ek zig zig line banakar (tedha medha jaise ki saanp) apne baaju waale ke opposite face khade honge....

ek dusre ke beech 6,6 metres ka distance hona chahiye...

hum chaaron ke haathon me jo ye 8 current balls hain,ye hum aap me se 8 SAVENTS ki taraf fekenge jisse wo 8 catch karenge....

par jaise hi wo 8 SAVENTS in balls ko catch karenge,unke andar ki feelings ke hisaab se ye balls react karenge...

jo bhi darega ta nervous hoga,ye ball usse aur jhatke denge...

ek baat aur,ye balls sticky hain
.matlab jhatka lagne par aap inhe yunhi fek nahi paayenge..

apne mind ko control kar jab tak aap khud ko kamsekam 1 percent hi sahi,sayyamit nahi kar lete,ye balls aapke haathon me chipke rahenge....

sayyamit hote hi jiske haathon ke ball hai,wo apne paas khade SAVENT ki taraf ball ko fekega....

ball fekte waqt agar aapka man pura 100 percent tak shaant raha,toh aap in balls ke volts ko kam ya fir badha bhi sakte hain...

so are you guyzzz ready.....????

SAVENTS-YES WHIZZ...


chehre par halka dar, confidence aur excitement liye sabne haan bola tha..

wahin in sab se door lounge me baithe FLORIN aur MARIA ye sab dekhkar kaafi excited ho gaye the aur unke piche khade AKSHAANT ke chehre par smile thi...

reason...wo jaante the ki WHIZZ aur WHIZZDERS ye sab kyun kar rahe the...

darasal jo dar har SAVENT ke man me chhaya hua tha,usse mitane ka yahi tarika tha...

har SAVENT ke sharir par ab jo jhatke lagne waale the,un jhatkon se un sabko current consume karne ki naa sirf aadat padhegi but saath hi un jhatkon ko control karne ki wajah se unka confidence level jo filhal kam ho gaya hai,wo wapas aayega...

par FLORIN, MARIA ki excitement aur AKSHAANT ke chehre ki muskaan tab hairani me badli jab unhone dekha ki jahan ek taraf saare SAVENTS WHIZZ ke kahe anusar ek zigzag line formation me lag gaye the wahin in sabse alag RAAZ akela un sab se thodi door jaakar khada ho gaya tha jiska matlab tha ki wo is naye activity me part nahi lene waala tha....

is baat ko chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS ne bhi dekha aur saath hi MAHI, ALFREEN aur unke saath saath ACCHUTA, SLUNDER ne bhi....

But WHIZZES, WHIZZDERS aur unke saath baakiyon ne bhi is baat ko avoid kar diya tha....

yahan tak ki ACCHUTA aur SLUNDER ne bhi....dono hi jaante the ki agar unhone RAAZ se kuch kaha toh jo jawab milega,wo unhe abhi lagne waale jhatkon se bhi zyada jhatka dega...

khair,zigzag formation ho chuki thi aur aisa hote hi...


CATCH.....


sabhi WHIZZES aur WHIZZDERS ne ye kaha aur agle hi pal unke haathon ke aathon balls SAVENTS ki taraf lapke aur....


AHHHH......


un aanth balls me se 2 balls MAHI aur ALFREEN ne catch kiye the aur baaki ke 6,dusre SAVENTS ne aur un current balls ko pakadte hi sabhi ke mooh se ek dard bhari aah nikal gayi....

aur jab un aathon SAVENTS ne us ball ko jhatakne ki koshish ki toh jaisa WHIZZ ne kaha tha, wo balls unke haathon me chipak se gaye jisse un aathon ko aur taklif hone lagi....


NOX- SAVENTS...haath ko jhatakna chhodo..iska koi faayda hoga nahi...jab tak aap sab apne apne dimag ko sayyamit nahi kar lete,balls aapke haathon se chipki rahengi....


NOX ki baat par sabse pehle amal MAHI ne hi kiya...jahan baaki sab NOX ki baat sunkar bhi apne apne haathon ko jhatakne me hi lage the,wahi MAHI ne sidhe khade ho khudko sayyamit karna shuru kiya...

jhatke toh usse lag hi rahe the,par wo un jhatkon se hone waale dard ko zabt karte hue apne chitt se apne body ko shant karne me lagi hui thi..

wahin kuch der baad jab ALFREEN ki nazar apne opposite line me khadi MAHI par padi toh usne bhi same pattern apnaya...

sidhi khadi ho usne bhi jhatko ko sehen karna shuru kar diya aur ALFREEN ki dekha dekhi baaki ke 6 SAVENTS bhi same karne me lag gaye...

in aathon ko baaki ke 23 SAVENTS bhi dekh rahe the aur sikh bhi rahe the...

kuch waqt laga but sabse pehle MAHI ne hi khud par kuch hadh tak kaabu paaya aur aisa hote hi uske haath ki wo current ball jo ki ab tak chipki hui thi,wo loose honi shuru ho gayi aur aisa hote hi...


AHHHH....


MAHI ne wo ball khudse 6 metre door khade SAVENT ki taraf fenki aur jaise hi us SAVENT ne ball pakdi,uske mooh se bhi ek dard bhari karah nikal gayi.....

wahin MAHI ke baad ALFREEN aur ALFREEN ke kuch waqt baad baaki ke 6 SAVENTS jinke haathon me balls thi,unke dimag ke sayyamit hoti hi unke haathon me chipki balls loose hui aur aisa hote hi un sabne bhi balls fekte hue paas kar di....


VOILET-very good MAHI...sabse pehle tumne hi khudko sayyamit kiya hai..baaki sab bhi same pattern follow karenge....

aur ek baar jab aap sab sayammit rehne lage, fir aap sabko apne confidence level ko badhakar in current balls par kaabu paana hai..

jitna zyada aapka confidence level hoga,utni energy aap sab balls se create kar sakte hai...


wahin MAHI aur baaki ke 7 SAVENTS ki hi tarah abhi ke wo 8 SAVENTS jinke haath me wo current ball thi,un sabne khudko kuch hadh tak sayyamit kar liya tha aur aisa hote hi unke haathon me chipki ball jo loose ho chuki thi,usse un sabne next 8 ki taraf pass kar diya....

aur fir ye silsila zigzag wise yuhi chalne laga...sabhi SAVENTS dheere dheere khud ke sayyam ko badha ball pass karte chale jaa rahe the.....

par in sabke beech sabse poor performance ACCHUTA aur SLUNDER ka tha...jahan SLUNDER chup chaap khudko behtar karne ki naakamiyab koshish kiye jaa raha tha wahin ACCHUTA toh har lagne waale jhatke ke baad andar hi andar WHIZZES aur WHIZZDERS ko gaali bake ja raha tha....

aur in sabse alag mai us zigzag formation ke aakhri SAVENT se kuch door khada ye sab dekh raha tha....

wahin ab tak MAHI aur ALFREEN ne khudko lagbhag puri tarah se sayyamit kar liya tha aur apne confidence level ko badhate hue ball ki energy level bhi apne mutabik thodi thodi badhate jaa rahe the...

dono ke hi chehron par smile.thi aur yunhi ball pass karte hue dono ki nazar SAVENTS ki line se thodi door khade mujhpar gayi....

mujhe dekh dono ki smile gayab ho gayi aur uski jagah ghusse ne le liya....

ek aur baar mujhe dekh ya fir ye kahun mujhe ghoor dono ne ek dusre ko dekha maano aankhon hi aankhon me ek dusre ko kuch bata rahi ho....

aur fir,jaise aankhon hi aankhon me kuch faisla kiya un dono ne jisse karte hi dono ke chehre par ek smile aa gayi aur....


ek aisa waqt aaya jab ALFREEN aur MAHI jo ki ek dusre ke thik opposite khade the,un dono ke hi paas ek hi waqt me balls aaye aur aisa hote hi...

apni puri concentration aur confidence level ko ek kar dono ne hi ball ki energy level ko 10,10 guna badhaya aur aisa hone ke agle hi pal....


SUBBHHHH...


dono ne bohot zor se wo energy balls ek disha me feki...

ye disha aur koi nahi meri hi thi...energy balls ke level itne zyada badhne ki wajah se unki raftar bhi bohot badh chuki thi aur isse pehle ki mai kuch dekh bhi paaun....


DHAMMM.......


wo dono balls kaafi zor se aakar mujhse takraye jisse mai udte hue piche ki taraf gira....

asahaniya dard jo mujhe ho raha tha aur jiski wajah se mera pura sharir kisi mirgi ke mariz ki tarah chhatpata raha tha,ussi haalat me mai sunya ko ghurta hua neeche zamin par tadap raha tha....

wahin jo hua usse aur meri haalat dekh saare SAVENTS meri taraf badhe..

par jahan sabhi SAVENTS ko meri haalat dekh tention ho rahi thi,wahin MAHI aur ALFREEN muskurate hue meri taraf badh rahe the...

chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS bhi araam se chalte hue meri taraf badhne lage the...

wo meri haalat dekh khush toh nahi the but unhe bura bhi nahi laga tha...

jis tarah se maine unse baat ki thi,unhe lag raha tha ki mai abhi jis haalat me hun,usse deserve karta hun...

ye scene lounge me baithe FLORIN aur MARIA bhi dekh rahe the..un dono ko hi MAHI aut unki beti se aisi kisi harkat ki ummid nahi thi....

aur isiliye hi wo uthe aur chupchaap wahan se chale gaye....wahin AKSHAANT ko bhi thoda ghussa aaya tha...

MAHI aur ALFREEN par nahi balki chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS par...kyunki wo jaante the ki agar wo chaaron chahte toh jo hua,usse hone se rok sakte the.

khair,mera sharir halka halka jhatka ab bhi khaa raha tha par mai chup chaap is dard ko zabt karne me laga hua tha..


ALFREEN-sorry RAAZ.wo actually excitement me maine aur MAHI ne kuch zyada zor se balls fek diye the....

tumhe zyada zor se lagi toh nahi....


chehre par maasumiyat laate hue ALFREEN ne kaha....


ACCHUTA-chutiya samjha hai kya????koi galti se nahi,jaanbujh kar kiya hai ye sab tum dono ne....

RAAZ ne sunaya jo tha kal tum dono ko...ussi ka badla liya hai naa tum dono ne???


ye bol ACCHUTA aur SLUNDER ne sahara dekar uthaya mujhe....


MAHI-arre hum aisa jaanbujh kar kyun karenge... galti se ho gaya yaar...sorry....

OPHILIA-RAAZ ,are you ok...???MAHI,ALFREEN...you should be careful of what you do...


OPHILIA WHIZZ ne aate hi apni baat kahi....


MAHI/ALFREEN-sorry WHIZZ....

OPHILIA-ye tumhe RAAZ se kehna chahiye....

MAHI/ALFREEN-we already did..ok ek baar firse bol dete hain....

sorry RAAZ.....


ab tak mujhe kaafi hadh tak thik lag chuka tha....sidha khada ho ek lambi saans chhod...


MAI-sorry kisliye...???jo mere saath hua,wo mai deserve karta hun....


meri baat dun pehle toh chaaron WHIZZES, WHIZZDERS aur MAHI, ALFREEN chownke but fir unhe laga mujhe lage jhatke se mera dimag bhi thikane par aa gaya hai jisse mujhe apni galti ka ehsaas ho gaya hai aur isiliye hi maine jo kaha wo kaha but....


MAI-sahi aur galat....is duniya me yaa fir kisi bhi duniya me sabse jhoote maayno ke shabd yahi dono hain...

taakatwar aur kamzor.....ye hain wo do shabd jo sahi aur galat ko unke asli maayne dete hain...

jo taakatwar hai,wo hamesha sahi hota hai aur jo kamzor hota hai,wo hamesha galat hota hai...

naa koi uski sunta hai aur naa koi usse kuch puchta hai...

tum dono hi filhal taakatwar ho,aur mai kamzor... aur is lihaz se tumne mere saath abhi jo kiya aur agar aage kuch bhi karne ka dil kare,wo sab sahi hai aur aage bhi hoga....

agar mere saath kuch bhi galat ho,kuch bhi,toh kisiko bhi iska zimmedar nahi maana jaayega...


ye baat maine chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS ko dekh kahi thi jo mujhe aascharya se dekh rahe the aur abhi jo maine kaha,usse sun toh unki aankhen aur badi ho gayi thi...


wahin mai SAVENTS ke side se hota hua dheere dheere aage badh gaya....

par kuch door jaakar mai dobara palta aur....


MAI-band ghadi bhi din me do baar sahi waqt batati hai...

kehne ka matlab hai ki har waqt ka ek waqt aata hai....isiliye agar dobara aisa kuch karne ka dil kare,toh bada karna..

itna bada ki meri aankhen kuch aisi band hon ki dobara naa kabhi naa khulen kyunki agar aisa nahi hua toh....



aankhen band hon,
yaa khuli

sirf mai DIKHUNGA...


ek taqdir tumhari
KHUDA ne likhi hai,


dusri.......mai LIKHUNGA........






AAJ KE LIYE ITNA HI....





AAPKA APNA V.J...
 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI MAHI AUR ALFREEN MILKAR RAAZ KE UPAR CURRENT BALLS SE HUMLA KARTE HAIN JISSE RAAZ KO BOHOT TAKLIF PAHUNCHTI HAI


AB AAGE:-



CHAPTER-1


(UNFOLD THE RAAZ)



UPDATE-19



PLANET-ELYSIAN


PLACE- SOVEREIGN OFFICE




LAGTA HAI AAP CHAARON KE WAQT DECIDER SE GALTI HO GAYI THI....

GALAT GROUP KA HISSA BAN GAYE AAP CHAARON....

PAR DER ABHI BHI NAHI HUI HAI....AS SOVEREIGN'S,HUME YE CHHUT HAI KI HUM DECIDER KI GALTI KO SUDHAR SAKEN....


class khatm hone ke baad AKSHAANT ne chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS ko apne office me bulaya tha...

issi beech SHAILA aur MOKALSAR bhi wapas CHOSENS pahunch chuke the aur pichle kuch dino me RAAZ se related jo bhi kuch hua tha,aur khaas kar aaj ki ghatna,wo sab jaan chuke the...

AKSHAANT ke bulawe par jab chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS unke office pahunche,toh AKSHAANT ke saath saath SHAILA aur MOKALSAR ko bhi wahan moujud paaya...

kuch der tak un chaaron ko dekhne ke baad AKSHAANT ne apni baat kahi jisse sunane ke baad un chaaron ke sir neeche ho gaye...


SHAILA- RAAZ ne battamizi ki,toh chalo usse sabak mil gaya,yahi soch rakhi thi naa aap chaaron ne jab MAHI aur ALFREEN ne uspar current balls chhode the....

aap jaise MORALS se hume aisi soch ki ummid nahi thi....

kaun yaha kis tarah rahega,iska faisla karne ka hak aap sabka nahi hai....

yahan aaya har baccha god gifted hota hai...is jagah par rehna uska hak hai...SAVENTS naa hote toh ye jagah bhi naa banti....

MOKALSAR- MAHI,ALFREEN,RAAZ ya fir koi bhi SAVENT,kuch bhi kare,aapka kaam bas har negetive moov ko hone se rokna hai....

aacharan,chatacter, ATTITUDE,in sab ko anylize karne ka kaam kiska hai,ye hume aapko batane ki zaroorat nahi..

kabhi aap chaaron bhi ussi analyzation se guzre the....

AKSHAANT-jo hua,wo dobara nahi hona chahiye....is that understood!!!!

CHAARON-yes SOVEREIGN'S.....

SHAILA-good....aap jaa sakte hain.....


apne sir ko neeche hi rakh chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS SOVEREIGN OFFICE se nikal gaye....


SHAILA-kitni ajeeb baat hai naa... CHOSENS ke pichle 25 thousand years ke itihaas me ek hi planet se ek hi time par teen SAVENTS pehle kabhi bhi nahi aaye....

ye karishma bhi hua toh kaisa???ek hi planet ke hone ke baawjud pehla dispute ek dusre se hi hua...

MOKALSAR-haan par MAHI aur ALFREEN toh acche friends ban chuke hain..infact friends se zyada dono sisters ki tarah rehti hain,bus RAAZ hi hai jisse un dono ko hi chidh hai....

AKSHAANT-kitni ajeeb baat hai naa....!!!! MAHI,jiske mastishk ki urja shakti baakiyon se zyada hai,wo yun choti si baat par RAAZ se ladne lagi hai...

aur ALFREEN jisse AVARASA (INSTINT POWER)ka ek aisa gift mila hai jo kisi SAVENT ke liye bhi rare hai,wo itna galat judgement kaise kar rahi hai???

SHAILA-sahi kaha...kuch toh hai jo normal nahi hai... OMMIN, NOX, VIOLET aur OPHILIA....

ye chaaron hi neetibudh SAVENTS rah chuke hain aur ab itne saalon se ussi neeti ke marg par chalte hue WHIZZES aur WHIZZDERS bane hue hain....

aur sabse mahatvpurn baat..ye charon hi MORALS hain...fir kaise achanak itni nakaratmakta inme samayi????

SHAILA-par in sabse zyada ajeeb hai RAAZ...kya kya nahi socha tha humne..laga tha ki VIKRAM ke baalya kaal ko ek baar firse dekhne ka durlabh mouka milega hume...

ussi ki tarah apne kaaryon se mantramugdh karega ye hume....

par ho iska pura ulat raha hai...jahan VIKRAM neetivaan the,wahin RAAZ neetihin hai...

jahan VIKRAM jigyasu the,wahi RAAZ jigyasuhin hai...

jahan VIKRAM dharm, karm aur satya ke marg par chalte the wahin is RAAZ ke acharan ko dekh lagta hai maano dharm,karm aur satya se iska door door tak koi naata nahi hai...

sach me,sirf ek hi aisi chiz hai jisne isse apnaya aur ab ye usse apnaye hue hai...

aur wo hai iska naam....RAAZ.....




PLACE-ALFREEN'S ABODE



HEY MOM...HEY POPS....

HELLO UNCLE,HELLO AUNTY...


institution se ALFREEN aur MAHI ek saath ALFREEN ke ghar louti jahan saamne hall me hi dono ko FLORIN aur MARIA sofe par baithe dikhayi diye jisse dekh dono ne hi unhe greet kiya par wapas greet karne ki jagah FLORIN aur MARIA dono bas unki taraf dekhne lage....

par is baat par bina dhyan diye ALFREEN apne dad ke paas baith....


ALFREEN-pata hai pops,kal CEREBRATION process ko pause karne par dimag me lage jhatke ki wajah se hum saare SAVENTS ke man me halka dar baith gaya tha...

aur aaj institution me wapas wahi process karne ke liye hum sabhi ghabra rahe the....

aur isiliye humare dar ko bhagane ke liye WHIZZES aur WHIZZDERS ne ek naya tarika nikala tha...

hum sabhi ko unhone current balls di jisme bhi same jhatke lagte the..aur hume khud ko sayyamit kar un balls ko paas karna tha...

aur pata hai pops,sabse pehle MAHI ne hi khud ko control kiya aur fir maine bhi jald hi khud ko control me laaya...

khud ko control me laakar hum un energy balls ke volts kam ya zyada kar sakte the,aur ye bas mai aur MAHI hi kar paaye...

FLORIN-bas itna hi...


ALFREEN ki baat khatm hote hi FLORIN ne sawal kiya jisse sun...


ALFREEN-haan.bas itna hi...is naye challenge ke khatm hote hote hi kaafi time nikal gaya tha aur current ball se lagne waale jhatkon se hum sab kaafi thak bhi gaye the isiliye class khatm ho gayi....

FLORIN- current balls ke volt badhakar tumne dono ne kya kiya???


FLORIN ki baat sun ALFREEN aur MAHI ko jhatka laga..dono ek dusre ko dekh hi rahe the ki...


FLORIN-shock hone ki zaroorat nahi hai..tumhare class ke waqt hum bhi tumhare institution me hi the aur lounge me baith tumhari activity dekh rahe the...

jo bhi wahan hua,wo sab humne dekha hai....


FLORIN ki baat sun ALFREEN aur MAHI ko samajh nahi aa raha tha ki wo kaise react karen!!!


FLORIN-ALFREEN,har baar tumhari wajah se hum dono ka sir uncha hi hua hai...

but aaj life me pehli baar tumhari wajah se hamara sir neeche jhuka.....

RAAZ se tumhari behas,uska tumhe sunana,ye saari chizen aaj ke tumhare harkat ko justify nahi karti....

aur MAHI,tum bhi hamare liye hamari beti hi ho....tumhari class me tum sabse talented ho ye jaan aur dekhkar hume bohot khushi hui thi par aaj toh tumne kiya,wo acceptable nahi tha...

talent ke saath agar samajhdaari naa ho,toh wahi talent galat raaste par le jaata hai...

first aana,prize jeetna mushkil hai but usse bhi zyada mushkil hai sahi faisle lena jo tumne aaj nahi liya...

kya kaha tha tumne ALFREEN...tum dono ne sabse pehle aur sabse zyada khud ko sayyamit kiya tha..

galat...aaj tum dono ne hi apna asli patience loose kiya...aaj ki activity bhale hi tum dono jeeti ho,par as a person,aaj tum dono haar gayi....

aur saath hi haare hain hum...kyunki tum wo ped ho jiski jaden hum hain jisse tumne khud hi aaj hila diya.....


ye bol FLORIN aur unke saath MARIA uthi aur dono apne bedroom ki taraf chal diye....

wahin apne dad ki baat sun aur unke yun uthkar chale jaane se ALFREEN ki aankhne halki bheeg gayi thi...

bura toh MAHI ko bhi bohot lag raha tha..wo bhi jaanti thi ki jo kuch bhi FLORIN ne kaha tha,wo sach hai...

par ALFREEN ke aansu dekh usne khud ko shaant kiya aur apna ek haath ALFREEN ke kandhe par rakh diya..

ALFREEN bhi jhat se MAHI ke gale lag subkiya lene lagi...


MAHI- jo hua usse badla toh nahi jaa sakta ALFREEN....bas apni galtiyon se sikha jaa sakta hai...

jo hua so hua,bas aage se hum bas khudke growth par concentrate karenge...aur kuch nahi...

aur rahi aunty aur uncle ki baat,toh dil se unhe sorry keh dena,wo maan jayenge...


ab tak ALFREEN bhi kuch had tak shaant ho gayi thi aur isiliye...


ALFREEN- MAHI..tu bhi jaanti hai ki us RAAZ ke saath maine jo bhi karna chaha aur kiya bhi,jisme tune mera saath bhi diya,wo sirf uski insulting baaton ki wajah se nahi kiya...

MAHI-jaanti hun...aur shayad mai teri baat kabhi maanti bhi nahi agar tune mere baare me batakar apni baat proove naa ki hoti....


MAHI ne ALFREEN ki usse first meeting ki kuch baaton ko yaad karte hue kaha...

baatein,but kaunsi??? aayiye,jaan lete hain...

jaisa ki bataya gaya hai ki ALFREEN ki INSTINCTS kaafi sharp hain..

uski is ability ki wajah se wo saamne waale ke nature,talent aur most importantly,khudse uske egibility ko kaafi sahi predict kar leti hai...

aur isiliye hi jab MAHI aur ALFREEN pehli baar mile,toh us mulakat me ALFREEN ne MAHI ke ab tak ke safar ka kaafi bhaag usse bataya jisse sun MAHI hairan hui aur ye jaankar ki sharp instincts ALFREEN ki ek god gift quality hai,khush bhi...

fir hui ALFREEN, MAHI aur RAAZ ke beech behas jiske baad ALFREEN ne MAHI ko bataya ki uske instinct RAAZ ke baare me negetive hai...

future me kisi naa kisi tarah RAAZ se usse aur uski family ko nuksaan pahunchega jisse sun aur ALFREEN ke instinct ke gift ko dhyan me rakh MAHI ne bhi RAAZ ko negetive hi maana tha....


MAHI-par ALFREEN,future ke liye present ko kyun kharab karna..tu apne mom dad se kitne arson ke baad mili hai,isse in negetive baaton me waste mat kar...

hum god gifted bacche hain...humari responsibility universe ke baaki logon se bohot zyada hai...

isiliye ab is RAAZ ke chapter ko filhal ke liye band kar aut khudpar focus kar...

agar in future hume usse koi khatra laga toh tab tak hum itne kaabil ho chuke honge ki usse aaram se nipat lenge....

ab sab baaton ko side kar aur uncle aunty ke paas jaakar sorry bol de....

ALFREEN-tu nahi chalegi kya??wo toh tujhse bhi naaraz hain...

MAHI-abhi nahi....mai shaam ko maafi mang lungi..abhi sirf tu jaa..mai filhal apne ABODE jaati hun....

shaam ko aaungi...


ye bol ALFREEN ko side hug kar MAHI apne ABODE ke liye nikal gayi aur ALFREEN apne mom dad ke room ki taraf.....



NEXT DAY



PLACE-THE CHOSENS




SOVEREIGN'S KI KAHI BAATON KE BAARE ME SOCH RAHE HO KYA TUM DONO???


VOILET aur OPHILIA ko chupchaap kuch sochta hua dekh OMMIN aur NOX ne ye sawal kiya tha....


OPHILIA-hmm....

VOILET-waise jo bhi SOVEREIGN'S ne kaha,wo sach hi tha...kuch dino se hum chaaron ka behaviour MORALS nahi balki WICKEDS ki tarah raha hai...

apne SAVENT life me najaane kitne hi triggering comments jhele hain humne,par kabhi provoke nahi hue...

par pata nahi is RAAZ ki baaton me aisa kya hai,ki bhulaye nahi bhulta..

ek ajeeb si ghutan feel hone lagti hai jo waqt ke saath badhti hi chali jaati hai....

jabki wo toh bas puche gaye sawal ka jawab deta hai..haan tarika,tone,language zaroor harsh hota hai but wo toh uski choice hai....

itni simple si baat hai,but pata nahi kyun,us waqt aisa nahi lagta....


VOILET bol toh apne liye rahi thi par uski kahi baat baaki teeno par bhi applicable thi kyunki same ehsaas unhe bhi feel hota tha but chaaron ye bhi jaante the ki unki feelings unke behaviour par galat asar daal rahi hai...

jisse wo aise bante jaa rahe hain jinse wo completely ulat hai,alag hain....

apne apne sochon me goom unki nazar saamne ki taraf padi jahan is waqt mai har din ki tarah aaj bhi bas aankhen band kar baitha hua tha....

waise aankhen toh sabhi SAVENTS ki band thi kyunki BRAIN AMPLIFICATION ki class start jo shuru ho chuki thi....

kal institution se jaane ke baad bhi mujhe lage current balls ke jhatke ki wajah se meri body kaafi weak ho gayi thi...

waise bhi mai single haddi hun...weakness kuch is kadar mujhpar haawi hui thi ki apne room me jaate hi mai kab leta,kab mujhe neend aayi,mujhe pata hi nahi chala....

aur toh aur mai sidhe aaj subah hi utha hun.....weakness toh subah bhi lag rahi thi par itni nahi ki mai institution bhi naa aa paun isiliye mai bhi yahan hun..

wahin in sab me do achi chizen bhi hui..

pehli toh ye ki kal din bhar sone ki wajah se mere kaano me ACCHUTA aur SLUNDER ki awaaz nahi padi aur aaj bhi wo dono khudhi mujhse thodi door baithe the....

aur dusri sahi chiz ye hui ki MAHI aur ALFREEN jo har din mujhe ghusse se ghurte hi rehte hain,aaj wo dono hi mujhe completely ignore kar rahe the...

khair,kal ke activity ki wajah se aaj sabhi SAVENTS ko jhatke se lagne waala dar kaafi kam ho gaya tha aur isiliye sabhi pure josh ke saath apna apna CEREBRATION process pause kar apne brain ko amplify karne me lage hue the....

sabke maathe ke beech ek urja ki jyoti saaf dikhne lagi thi jo har beetate pal ke saath badhti chali jaa rahi thi jiska matlab tha ki sabhi apne dimag ke beech paida hui urja ke nazdeek jaa rahe hain...

aur fir wahi hua jo pehle din hua tha....jaise hi saare SAVENTS us urja ke aur paas gaye,sabke dimag me ek jhatka laga jisse SAVENTS ki aankhen khul gayi...

jhatka toh is baar bhi zor ka hi laga tha par kal ke activity ki wajah se koi bhi is jhatke se ghabraya nahi tha..

wahin hamare saamne khade chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS SAVENTS ki aankhen khulte dekh has diye par tabhi.....

unki nazar teen SAVENTS par padi jinhe dekh chaaron khush ho gaye..

ye teeo SAVENTS the, MAHI, ALFREEN aur unse do line alag baithi ek aur SAVENT..

reason....

ALFREEN, MAHI aur wo teesri SAVENT hi aise teen the jinka CEREBRATION process jhatka lagne ke baad bhi paused tha aur unki aankhen band....

itni jaldi ye kaarnama bhi bohot hi kam SAVENTS kar paaye hain aur isiliye hi WHIZZES aur WHIZZDERS kaafi khush dikh rahe the...

but ye sab bas kuch hi palon ki baat thi...kyunki jaise hi ye teeno SAVENTS apne dimag me upji urja ke aur kareeb gaye,toh unke dimag ko ek aur jhatka laga jo pehle jhatke se zyada powerful tha aur aisa hote hi in teeno ki bhi aankhen khul gayi.....

aur saath hi back to back do do jhatkon ki wajah se teeno hi kaafi thaki hui lagne lagi thi...


OPHILIA- ALFREEN, MAHI...very well done...tumne apne dimag ke pehle jhatke ko bohot ache se handle kiya aur apne CEREBRATION process ko pause hi rakha...

aur ye koi choti baat nahi hai..bohot kam SAVENTS ye aaj tak kar paaye hain...

aur aap...kya naam hai aapka???


OPHILIA ne us teesri SAVENT ke taraf dekh ye baat kahi jo MAHI aur ALFREEN ki hi tarah apne first jhatke ko successfully jhel paayi thi....


SAVENT-MABEL, WHIZZ.....


OPHILIA-well done MABEL.... MAHI aur ALFREEN ki hi tarah aapne bhi apne dimag me lagne waale first jhatke ko kaafi achi tarah se handle kiya tha....

MABEL-thank you WHIZZ...

OPHILIA- SAVENTS... aap sabko udaas hone ki zaroorat nahi hai....

infact hum chaaron bohot khush hain..kyunki aaj jhatka lagne ke baawjud aap sab dare nahi hain...

VOILET-bilkul... waise bhi ye class aapke is naye safar ki neev hai...isme time lagta hi hai...isiliye apna apna confidence level aur focus strong rakhiye...

bohot jald aap sab is hurdle ko paar kar lenge....

aaj ke liye class dismiss....


MOOH FAADE KYA DEKH RAHA HAI???CHAL,CLASS KHATM HO CHUKI HAI....


ye bola tha SLUNDER ne ACCHUTA se...


reason...

jahan ek taraf saare students class dismiss hone ke baad yaa toh ek dusre se baat kar rahe the ya wapas apne apne ABODE aur hostel ki taraf nikalne lage the,wahin hamara ACCHUTA aankh faade kisi ko dekh raha tha...

aur uska focus filhal itna zyada tha ki usse SLUNDER ki baat bhi sunayi nahi di thi....

wahin SLUNDER ne jab dekha ki ACCHUTA abhi bhi ek tak kahin dekhe jaa raha hai toh usne ACCHUTA ki aankhon ka piche kiya aur agle hi pal usse sab samajh aa gaya tha....


SLUNDER-abbe aankhon se hi usse maar dega kya???

ACCHUTA-arre mare uske dushman...ye toh apne nazaron se hi murde me bhi jaan daal de...

waise kitna naam hai naa..MABEL....

MABEL aur ACCHUTA...kitna janchte hain ye dono naam ek saath.....

SLUNDER-haan,aisa lag raha hai jaise MABEL naam par chhut padh gaya hai....

ACCHUTA-saale,jab shakl achi naa hona toh kamsekam baatein achi karni chahiye...

SLUNDER-haan,teri Surat toh khubsurti ki moorat hai naa!!!

ACHHUTA-arre pagle,upari khubsurti ka kya faayda...!!!asli sundarta toh dil ki hoti hai aur tere bhai se khubsoorat dil bhala hai kisika...!!!!

SLUNDER-matlab tujhe us MABEL ki andar ki khubsoorti dikh rahi hai???

ACCHUTA-bhai,jab hardware itna gazab hai,toh software bhi kaatilaana hi hoga naa...

SLUNDER-waah re mere computer engineer....kya imagination hai...ab chalen,jahan tu dekh raha hai,wo jagah ab khaali ho chuki hai..

teri MABEL ab jaa chuki hai...

ACCHUTA-par uski mehek ab bhi wahin hai...usse hi mehsoos kar raha hun mai...

SLUNDER-tu kutte ki tarah uski mehek sunghta reh,mai chala....


ye bol SLUNDER wahan se nikalne laga...


ACHHUTA-arre rook yaar....tu bhi naa,apne bhai ke dil ki haalat nahi samajhta...

SLUNDER-bakwaas chizon ko samajhne ka shouk nahi hai mujhe....

ACCHUTA-isiliye shayad tu khudko nahi samajh paata...


ACCHUTA ki baat sun SLUNDER ne usse ghoor kar dekha aur apne kadam tez kar liye jisse dekh ACCHUTA ne bhi same kiya..

aise hi nok jhonk karte hue dono hostel ki taraf nikal pade..

wahin jab ye dono baatein kar rahe the tab....


KYA SOCH RAHE HO OMMIN???


OPHILIA WHIZZ ke sawal par...


OMMIN-RAAZ....ek minute..


mai jo abhi hostel jaane ke liye palta hi tha, OMMIN WHIZZDER ki awaaz sun rook gaya...

wahin OMMIN WHIZZDER ke mujhe awaaz dete hi....


OPHILIA-OMMIN,ye kya kar rahe ho???..dobara usse kuch mat kaho...

OMMIN-relax..mujhe bas kuch jaanana hai....


ye bol OMMIN mere taraf badh gaye wahin baaki teeno WHIZZ aur WHIZZDERS humari taraf dekhne lage...


OMMIN-RAAZ,can i touch your head..????kya mai tumhare sir ko chhu sakta hun...


maine bas haan me apne sir ko jumbish di jisse dekh OMMIN WHIZZDER ne apne dono haath mere sir ke dono taraf mere kaan se thoda upar rakhe aur....


OMMIN-PRAKRATI KAROTI....

REVEAL...


OMMIN sir ke aisa karte hi unki ungliyon me se ek urja roopi ray nikal mere dimag me ghusi aur...

mere brain ke starting nerves se hoti hui wo ray mere brain ke central nerves ke paas pahunchi aur fir wahan se wo ray meri unconscious brain jahan se magic access hota hai,us taraf badh chali par tabhi.....


mmmmmmmm...............


mere unconscious brain ke paas pahunch OMMIN sir ko aisa laga maano koi unhe khinch raha hai,unki urja ko sokh raha hai...ek tarah se unhe nigal raha hai jiski wajah se unke mooh se ye grunting ki awaaz nikli maano wo bhi khudko khinchne ki koshish kar rahe hon but jab wo kaamiyab nahi ho paaye toh...


OMMIN-OPHILIA,NOX, VIOLET.....jaldi aao....


OMMIN ki awaaz sun teeno turant humare paas pahunche aur jaise hi unki nazar OMMIN par padi,unke aascharya kaa thikana naa raha...

reason.....


apni puri taakat lagane ki wajah se OMMIN sir ke jabde aapas me bhide hue the...unke kaan garam hokar laal hone lage the aur unki saansen bohot tez chal rahi thi...

par isse pehle ki wo teen OMMIN sir se kuch puchte....


OMMIN-help me.....


OMMIN sir ki baat aur uska matlab samajh baaki teeno ne bhi apna apna haath OMMIN sir ke hatheli ke upar rakh apne apne spell ki shakti OMMIN sir ke through mere brain me transfer karni shuru ki...

par kuch hi der me in teeno ki hi haalat OMMIN sir ke jaise hi ho gayi....

apni puri concentration apne spell ko dene ke baad bhi wo chaaron milkar bhi mere unconscious brain ka kuch nahi kar paaye...

OMMIN WHIZZDER ki hi tarah wo teeno bhi ab apni urja ke through mere brain ke kissi hisse me fas gaye the...

abhi tak wo chaaron REQUEST MODE par the par jab unhone dekha ki isse koi faayda nahi ho raha hai toh sabne apna apna COMMAND MODE activate kar diya...

jisse un sab ki urja 10 guna tak zyada badh gayi...par hairani un chaaron ko tab hui jab unhe COMMAND MODE activate karne ke baad bhi safalta nahi mili....

un sabki urja ab bhi ek jagah fasi hui thi aur ab toh wo chaaron ki sansen had se zyada foolne lagi thi...

wahin itne zyada urja ke andar jaane ki wajah se mere brain cells bhi expand hone lage the jiski wajah se meri aankhen band hone lagi thi...

par kyunki khud un chaaron ki haalat kharab ho rakhi thi,isiliye unhe meri condition ka andaza nahi tha...

wahin VIOLET WHIZZ ne jab ye dekha ki COMMAND MODE ka bhi asar nahi hua hai toh unhone ATTACH MODE ko try karne ka socha bina ye soche ki agar unhone aisa kiya toh is pure area me kitne khatarnaak shock waves niklenge...

unhone apni aankhen band ki... khud ko sayammit kar wo ATTACH MODE ko active karne hi waali thi ki....


BINDUYEM MOKSAYATI....

PARTICLES DETACHMENT....


BOOM........


mere piche se ye spell uccharit hua tha jo aur kisi ne nahi balki AKSHAANT SOVEREIGN ne kaha tha...

aur unke aisa karte hi chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS ki urja jo mere dimag ke andar phasi hui thi,wo ek jhatke me baahar nikal gayi...

itni urja ke ikattha hone ki wajah se hawa me bhi kaafi dabaav aa gaya tha ki jiski wajah se hawa ke beech halka dhamaka sa hua...

wahin AKSHAANT SOVEREIGN ke spell aur ek jhatke me saari urja baahar aane ki wajah se chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS aur unke saath mai bhi behosh ho chuka tha......







AAJ KE LIYE ITNA HI......





AAPKA APNA V.J.....
 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI KAISE BRAIN AMPLIFICATION KI CLASS KE BAAD CHAARON WHIZZES aur WHIZZDERS RAAZ KE BRAIN ME GHUSNE KI KOSHISH KARTE HAIN JISKI WAJAH SE WO CHAARON AUR UNKE SAATH RAAZ BEHOSH HO JAATA HAI.



AB AAGE:-



CHAPTER-1


(UNFOLD THE RAAZ)



UPDATE-20



PLANET-ELYSIAN


PLACE-THE CHOSEN'S




KYA BAAT HAI???AAJ BOHOT KHUSH LAG RAHI HAI!!!!


ye baat MAHI ne ALFREEN se kahi thi....


subah ka waqt hai....aaj ALFREEN aur MAHI sabse pehle hi institution aa gaye the...

ghar se institution tak ALFREEN baat karte waqt kaafi khush lag rahe thi jisse mehsoos kar MAHI ne ye baat kahi thi....


ALFREEN-haan yaar,khush toh mai hun aur reason bhi obvious hai.. mom and pops....

humne jo us din kiya tha,uske liye unhone hume puri tarah maaf jo kar diya...

MAHI-maaf toh uncle aunty ne ussi din kar diya tha...tune toj ussi din unse maafi maangi thi aur tere baad shaam ko maine bhi unse sorry kaha tha jispar unhone haste hue hum dono ko hi gale lagakar maaf kar diya tha...

ALFREEN-sirf upar se....dil se nahi...us din hamare sorry bolne par mom aur pops ne hum sad naa rahen,isiliye hume maaf karne ki baat kahi thi but dil se wo humse tab bhi upset hi the....

bhale hi mai itne saal behosh rahi,unse door rahi but hain toh wonmere mom aur pops...unki har feeling se mai achi tarah waakif hun...

aur isiliye hi kal shaam maine dobara undono ke saamne baith ek baar firse sorry kaha...

maine unse kaha ki jisse unhe taklif ho,aisi koi harkat mai dobara nahi karungi...kuch der tak wo dono mujhe dekhte rahe but fir unke faces par ek smile aa gayi,jiska matlab tha ki ab unka dil bhi halka aur saaf ho chuka tha....


ALFREEN ne haste hue apni baat kahi par jab usne MAHI ki taraf dekha toh paaya ki wo kisi gehri soch me goom hai....


ALFREEN-ab tujhe kya hua???


MAHI ko kandhe par chhute hue ALFREEN ne apni baat kahi jisse MAHI apni soch se baahar aayi....

MAHI-mujhe kya hoga???bas teri baaton ko sun rahi thi....


MAHI ki baat sun ALFREEN ne uska haath pakad rok liya aur usse face kar khadi hokar usse dekhne lagi...


MAHI-WHAT???aise kya dekh rahi hai???

ALFREEN-dekh rahi hun ki meri friend ne aaj first time mujhse jhooth bola hai...kya baat itni gehri hai ki mujhe bhi nahi pata honi chahiye....???


ALFREEN ki baat sun kuch der tak usse dekhte rehne ke baad...


MAHI-rishte toh gehre hi hote hain...abhi abhi tune jo bhi kaha,usse ye baat saabit bhi hoti hai...

ALFREEN-matlab!!!mai samjhi nahi.....

MAHI-dekh naa...baat agar competition ki ho, kuch naya sikhne ki ho toh mai turant saari chizon ko catch kar leti hun,but rishton ke maamle me mai ek amateur hun...

uncle aunty ne its ok bola toh maine bhi maan liya ki unhone hume maaf kar diya hai....

jo bola gaya hai,feelings unse ulat bhi ho sakti hai,iska toh idea hi nahi hai mujhe....

aur hoga bhi kahan se, jinse ye saari chizen sikhi jaati hai, unhe toh maine kabhi dekha hi nahi....MAA,PAPA.....

mere liye toh ye dono bas shabd hi hain.. jinse in shabdon ko maayne milte hain,unhe toh kabhi maine jaana hi nahi....

zindagi ka sach jab samajh aane laga toh sabse pehli haquqat yahi jaani ki mai ek anath hun....

jo sikha,khud sikha....jab thodi badi hui,jis duniya me mai rehti thi,uske baare me,usme rehne waale logon ke baare me jab jaana toh pata chala ki ek bache ke mooh me jo pehla aahar jaata hai wo doodh hota hai....

wo doodh jo ek maa apni chhaati se lagakar apne bacche ko pilati hai....

par mujhe toh kabhi bhi naa toh wo doodh nasib hua aur naahi us chhati ki garmi jisse lag bacche khudko surakshit mehsoos karte hain...

par mujhe kabhi afsos nahi hua tha..ye tez dimag ka jo vardaan hume mila hai,usne meri bhaavnaao ko ek naya mod diya,ek uddeshya diya jiski wajah se mujhe rishte aur unme hone waale jasbaaton ko jaanane ka man hi nahi hua...

but ek khaalipan hamesha raha mere andar jisse maine dosti bhi kar li hai but kabhi kabhi jab tujhe uncle aur aunty ke saath dekhti hun toh wo khaalipan ka ehsaas wapas mere andar ghar kar leta hai....


MAHI ki baat sun aur uski feelings ki gehrayi ko samajh ALFREEN ne kuch kaha nahi,bas usse gale laga liya...

normal human beings aisa situation me saamne waale se kehte hain ki kya uske mom dad saamne waale ke mom dad nahi hain....

but ALFREEN ko maalum tha ki mom dad ki tarah hona aur mom dad hona,inme fark hota hai....

waise toh RAAZ aur baaki saare orphanage ke bacche bhi MARIA aur FLORIN ke liye unke hi bacchon ki tarah the but wo sab milkar bhi ALFREEN ki jagah toh nahi le sakte the...

jahan mom dad ki zaroorat hoti hai,wahan mom dad ki kaam aate hain, unke replacements nahi....

khair,kuch der tak yunhi gale lage rehne ke baad,


ALFREEN-aaj sabse pehle aaye the hum..but lagta hai class sabse last me pahunchenge...chal,jaldi,kahin class start naa ho jaaye...


muskurate hue ALFREEN ne apni baat kahi jisse sun MAHI bhi muskura uthi aur fir dono class ki taraf chal pade....




IN CLASS:-



THANK GOD.....WHIZZES AUR WHIZZDERS ABHI TAK AAYE NAHI....


class me ghuste hi MAHI aur ALFREEN ne dekha ki saare SAVENTS aa chuke the but WHIZZES aur WHIZZDERS abhi nahi pahunche the...

but aaj un dono ko discholars ki line ke third row me khada hona tha kyunki shuru ki lines equipped the.....

khair,dono hi jaldi se aage badhe aur apni line me jaakar khade ho gaye...

tabhi MAHI ki nazar apne baaju me khadi ladki ki taraf gayi jisse dekh....


MAHI-MABEL, RIGHT!!!!tumne hi kal apne CEREBRATION process ko jhatka lagne ke baad bhi pause rakha tha.... that was really impressive....


MAHI ki baat sun ALFREEN ki nazar bhi MABEL par padi....


MABEL-ji...par sirf maine hi nahi,balki aap dono ne bhi ye kaam successfully kiya tha...infact,aap dono ki hi wajah se mai kal wo kar paayi thi,so thank you....

ALFREEN-hamari hi wajah se!!! how's that???

MABEL-actually yahan aane se pehle toh mai ek super confident girl hua karti thi...

har chiz me first wo bhi bohot asaani se...but jab mujhe is adbhudh duniya ke baare me pata chala,aur saath hi ye pata chala ki yahan padhne waala har student jisse yahan SAVENT kehte hain,wo yahan aane se pehle apni apni duniya me genius hi hota hai but yahan uski wo guniusness kaam nahi aati toh mai thodi nervous ho gayi aur jab maine yahan ki activities ke baare me jaana tab toh meri nervousness aur badh gayi...

infact me hi kya,saare SAVENTS ki same condition thi siway aap dono ke...aap dono baakiyon ke ulat kaafi confident aur excitement se bhare dikh rahe the aur ussise mujhe bhi apna khoya hua confidence wapas mila aur isiliye hi kal mera focus thoda strong raha...


MABEL ki baat sun ALFREEN aur MAHI muskura diye...


ALFREEN-wo sab toh thik hai but ye tum hume aap kehkar kyun bula rahi ho...????

hum sab same PHASE me hi hain.. PHASEMATES hain....fir itni formalities kyun????


ALFREEN ki baat sun MABEL aur saath hi MAHI bhi muskura uthe...


MAHI-so friends...!!!!


MABEL ke saamne haath aage badhate hue MAHI ne ye kaha jiske agle hi pal muskurate hue MABEL ne uske haath ko thaama...

MAHI ke baad ALFREEN ne bhi same kiya aur fir haste hue teeno ek dusre se baat karne lag gaye...

wahin in sab se thodi door khada ACCHUTA hasrat bhari nigahon se ye sab dekh raha tha....


SLUNDER-tu ek naa ek din pakka pitega...saale, jab dekho us ladki ko ghurta hi rehta hai....

ACHHUTA-ladki!!!apne hone waali bhabhi ko tu ladki bolta hai!!!!itna khubsoorat naam hai uska.MABEL....

aur uske aage uski pehchaan..teri bhabhi....teri MABEL bhabhi...haaye,bolne bhar se hi kitna sukoon milta hai is dil ko....

SLUNDER-usne agar teri ye bakwas sun li naa toh dil chhod,tere pichwade ka sukoon bhi haraam kar degi...

kal MAHI aur ALFREEN ke saath saath usne bhi CEREBRATION process ko jhatka lagne ke baad bhi pause rakha tha....

isse uski capability pata chalti hai...wo a+ SAVENT hai aur tu d-...

upar se kitni beautiful bhi hai wo..aur tu teri shakl dekh... tujhe toh dekhna bhi pasand nahi karegi wo.....

ACCHUTA-saale,tu yahan difference between khelne aata hai kya...???

aur teri opinion maangi maine...fokat ka Gyan singh banana band kar...

khud ki shakl assembled waali hai aur mere hardware par comment karta hai...

SLUNDER-haan toh mujhe apni hadh pata hai,mai teri tarah galatfehmi me nahi jeeta...

ACHHUTA-usse hadh nahi aukaad kehte hain...aur tu apni aukaad ke saath meri value compare mat hi kar toh acha hai....

dekhna,ek din ye mujhpar maregi......

SLUNDER-uske saamne chala jaa...wo ek din aaj hi aa jaayega...tujhe saamne se dekhkar wo waise bhi mar jaayegi...

ACHHUTA-abbe apne mooh ka gatar band kar....kal bhi bola tha maine,jab shakl achi naa ho toh kamsekam baatein achi karni chahiye....

tu hi bata RAAZ bhai,kya kami hai tere bhai me...


aaj ye dono mere paas hi khade the...aur inki ab tak ki saari bakwaas maine apne ek kaan se sun dusre se nikali thi....

but ab is ACCHUTA ne mujhse hi sawal puch liya tha isiliye....


MAI-kami kuch nahi hai.tu kuch zyada hi bhara hua hai...aur ab aage mujhse kuch bhi bolne ki zaroorat nahi hai...

apne ishq ki daastaan apne tak hi rakh...mujhe isme koi interest nahi hai....

ACCHUTA-bhai,tujhe interest hai kisme...???naa toh tu kisi activity me part leta hai,naa kisi se baat karta hai aur agar koi saamne se baat kare,toh usse suna deta hai...

MAI-sach agar taana lagne lage,toh samajh jaana ki tumhari soch ki nadi galat samandar me mil rahi hai....

apne focus ko thoda aur focus kar..sahi sawal mooh se nikalne lagenge....


meri baat sun ACCHUTA phir apna mooh kholne waala hi tha ki tabhi


GOOD MORNING SAVENTS....


ye nayi awaaz hum sab ke kaano me padi jisse sun aur us awaaz ke maalik ko dekh saare SAVENTS thode shocked hue...

reason.....


humare saamne hamare regular WHIZZ ya WHIZZDER nahi the balki ek naya chehra,ek nayi WHIZZ thi...

wahin shayad hamare surprised hone ka reason wo WHIZZ bhi samajh gayi thi isiliye....


mera naam EDWINA hai...aapke chaaron whizzes aur whizzders kuch kaam se baahar gaye hain aur isiliye aaj mai aap sabki substitute whizz hun...


WHIZZ ne apna intro diya jisse sun SAVENTS ki hairaani khatm hui....


EDWINA-waise mai aap sab ke next PHASE yaani GROMMERS ki WHIZZ hun....


EDWINA ki baat sun ek baar firse sabhi SAVENTS hairan hue but usse zyada sab khush the ye jaankar ki unke saamne unke next PHASE ki WHIZZ khadi hai....


EDWINA-first PHASE me ab tak ka ye mera first visit hai...mai koshish karungi ki mere experience se aap sabko is PHASE ke sabse initial activity jo aap sab filhal kar rahe hain,usme successful hone me aapki madad karun...

but sabse pehle ye bataiye ki aap sab me RAAZ kaun hai????


WHIZZ ki baat sun mai aage aakar khada ho gaya...


EDWINA-aapko SOVEREIGN'S ne bulaya hai...aap jaa sakte hain....


EDWINA ki baat sun mai bina kuch kahe class se baahar nikal gaya....

mai toh chala gaya but mujhe SOVEREIGN dwara bulaye jaane ki baat sun sabhi SAVENTS ek dusre se is baare me baat karne lage..

but sirf MAHI aur ALFREEN hi aise the jinhone mera naam sunte hi khud ke hi dimag ko block kar liya tha....

khair,mere class se baahar jaate hi....


EDWINA-so SAVENTS,sabse pehle ye bataiye ki CEREBRATION process pause karne ke baad aap kya karte hain????aap,aap batayiye....


EDWINA ne saamne ki line me khade ek SAVENT se ye pucha jiske baad...


SAVENT- CEREBRATION process pause ke baad dimag ke andar ek choti si ray dikhayi deti hai jiske paas hume jaana hota hai...

EDWINA-aur jaise hi aap us ray ke paas jaate hain,aap sabme dimag me ek jhatka lagta hai jiski wajah se aap sabka CEREBRATION process wapas shuri ho jaata hai aur aap sab apne apne dhyan se baahar aa jaate hain...right!!!

SAVENTS-YES WHIZZ....

EDWINA-jab mai aap sabki hi tarah ek SAVENT thi,tab jab mujhe ye jhatke lagte the toh usse tackle karne ke liye maine ek tarika nikala tha jisse mai aap sab se share karti hun...shayad aap sabko bhi isse faayda ho jaaye...

bhale hi BRAIN AMPLIFICATION karte waqt hume apna CEREBRATION process pause karna padta hai but fir bhi us waqt hume ye pata rehta ki humare saath kya ho raha hai....

isiliye jab bhi aap apne dimag me paida hue ray ki taraf badhe toh ray ke kareeb pahunchte waqt apne chitt ki gati ko tez ya dheere karne ki kosish karen...

aisa karne par brain ke pause hone ke baawjud aapke dimag ke ek hisse ka focus us ray ki jagah apni speed par hoga jiski wajah se jab bhi aapke dimag me jhatka lagega toh wo nerves jo aapki speed par dhyan de rahe honge,unhe depending on your focus,jhatka kam yaa fir nahi lagega...

aise me jitna asar abtak aap ko us jhatke ke lagne se hota aaya hai,wo asar kam ho jaayega...isse aapke concentration level bane rahenge jisse aapka CEREBRATION process paused hi rahega...


EDWINA ki baat aur unka idea sun sabhi SAVENTS bohot khush ho gaye aur unhe ye bhi pata chal gaya ki EDWINA kyun PHASE 1 ki nahi balki PHASE 2 ki WHIZZ hain..

unki soch, capability unke current WHIZZES aur WHIZZDERS se zyada jo thi...

khair, WHIZZ ki idea ko sun sabhi SAVENTS apni apni jagah par baith gaye aur agle hi pal un sabka CEREBRATION process pause ho chuka tha....



WAHIN CLASS SE NIKALNE KE BAAD:-



mai SOVEREIGN OFFICE ki taraf badha ki hi tha ki tabhi....

mere saamne ek MAGIC door khul gaya jiski dusri taraf ek room dikh raha tha...

mai us door ko dekh hi raha tha ki tabhi...


DOOR KE ANDAR AA JAAO RAAZ...


us door ke andar se awaaz aayi jo ki jaani pehchaani thi jisse sun mai us MAGIC door ke andar chala gaya..

mere andar ghuste hi wo door band ho chuka tha....

maine sahi socha tha..mai jahan khada tha,ye kisi bungalow ka ek bada sa hall numa room tha....

maine apni nazar ghumayi toh mujhe ussi jaani pehchani awaaz ke maalik dikhayi diye...

AKSHAANT...jo mujhe hi dekh rahe the.. unke saath SHAILA aur MOKALSAR bhi the jinhe dekh mai us taraf badh chala....


AKSHAANT-kal hua kya tha RAAZ!!!!????

MAI-ye aapko apne WHIZZES aur WHIZZDERS se puchna chahiye...

AKSHAANT-agar wo jawab dene laayak hote toh zaroor puch leta....


ye bol AKSHAANT, MOKALSAR aur SHAILA jo ek dusre se lag kar khade the,side hue aur tab mujhe unke piche ka scene dikhayi diya...

mere saamne chaar lambe par sidecut beds par chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS, OMMIN, NOX, VIOLET aur OPHILIA aankh band kiye pade hue the....


SHAILA-behosh hone ke kuch der baad hi kal tumhe toh hosh aa gaya tha but ye chaaron ab tak behosh hain....

humne bohot koshish ki but ye hosh me nahi aa rahe....

isiliye hum jaanana chahte hain ki kal aakhir hua kya tha???

MAI- OMMIN WHIZZDER ne ek spell bola jiske baad mujhe apne dimag me kuch chalta hua sa mehsoos hua but kuch der baad wo huchul rook gayi..

aur just tabhi OMMIN sir ki saans
phulne lagi...wo apna haath mere sir se hata alag hone ki koshish kar rahe the but nahi ho paaye....

unhone baaki teeno ko bhi apne paas bulaya...

un teeno ne apne apne haath OMMIN WHIZZDER ke hatheli ke upar rakh spells bole jiske baad ek baar firse mujhe mere dimag me hulchul mehsoos hui aur saath hi mera sir bhaari bhi hone laga...

iske baad ka mujhe pata nahi kyunki fir mai behosh ho gaya tha.....

MOKALSAR- OMMIN ne kaun sa spell bola tha,yaad hai tumhe....

MAI-PRAKRATI KAROTI....


MOKALSAR-REVEAL SPELL....


MOKALSAR ki baat sun teeno kuch sochne lage par fir....

teeno ke dimag ki batti ek saath jali....


MOKALSAR-in chaaron ke senses RAAZ ke brain me atak gaye hain....


MOKALSAR ki baat sun baaki dono ne haan me sir hilaya...

ye sab toh samajh gaye..ab aap bhi samajh lijiye...darasal OMMIN WHIZZDER ne jo spell bola tha,usse pehle toh unki halki si energy hi zaya hui thi jaisa har spell bolne par hota hai...

but fir jaise hi unki spell se nikli urja RAAZ ke dimag ke unconscious ya fir ye kahun ki subconscious brain ke part me pahunchi,toh uske dimag ke us bhaag ne us urja ko jakad liya aur saath hi OMMIN sir ki energy stream ko bhi khinchna shuru kar diya..

ye hamari energy hi hai jiski wajah se hum hosh me rehte hain but RAAZ ke dimag ke khinchaav ki wajah se OMMIN sir ki energy kam hoti chali gayi aur jab baaki teeno ne bhi apni apni urja OMMIN ko di,toh unke saath bhi same chiz hui...

kuch hi der me un sab ki energy rays RAAZ ke dimag ne jakad liye jiski wajah se wo chaaron behosh ho gaye...

but RAAZ ki energy toh uske paas hi thi isiliye wo kuch hi der me hosh me aa chuka tha....


MOKALSAR- mere saamne khade ho jaao RAAZ...


unke kehte hi mai unke saamne khada ho gaya aur mere aisa karte hi unhone apne dono haathon ki index aur middle finger mere sir ke dono taraf rakhi aur....


MULL KAROTI

EXTRACT


MOKALSAR ke spell uccharit karte hi unke fingers se ray nikal ekbaar firse mere dimag me ghusi aur agle hi pal us ray ne chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS ki sense ray,unhe hosh me laane waali unki energy ke kirano ko mere dimag se alag kiya jisse wo energy rays mere dimag se baahar nikal un chaaron ke dimag me sama gayi...

apna kaam khatm kar MOKALSAR ki rays mere dimag se wapas nikalne hi waali thi ki tabhi un rays ke through MOKALSAR ko kuch dikha jisse dekh unhe ek zordaar shock laga jisse SHAILA aur AKSHAANT ne bhi dekh liya tha....

par khud ko sayyamit kar MOKALSAR ne apna haath mere sir se hata liya aur...


MOKALSAR-tum jaa sakte ho RAAZ....


unke aisa kehte hi ek baar firse mere piche ek MAGIC door khul gaya jisse hote hue mai wapas school pahunch gaya...

school pahunch mujhe pata chala ki aaj ki class khatm ho chuki hai isiliye mai hostel ki taraf nikal gaya....

wahin mere jaane ke baad MOKALSAR ne ek baar palat kar chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS ko dekha jo abhi tak behosh hi the..

MOKALSAR ko pata tha ki un chaaron ko hosh ne aane me kuch waqt lagega...unhone ek gehri saans lekar jab apne dono doston ko dekha toh unhe khud ko ghurta paaya....

MOKALSAR ko iska reason maalum tha aur isiliye....


MOKALSAR-in chaaron ke senses extract karne ke baad maine RAAZ ke dimag ko dekha tha....

SHAILA-AUR!!!!

MOKALSAR-sabhi manushya ke dimag ke do hisse hote hain..ek jisse regular chizen process hoti hai aur dusri wo subconscious mind jisse saare metaphysical activities aur MAGIC hote hain..

isiliye hum us subconscious mind ko 2nd brain kehte hain....

AKSHAANT-ye sab hume pata hai.....tum itne shocked kyun hue the???ye batao...!!!!

MOKALSAR-ussi second brain ki wajah se...

SHAILA/AKSHAANT-MATLAB!!!!

MOKALSAR- RAAZ ka subconscious brain yaa fir ye kahun ki uska second aur sabse important brain....

ye kehkar MOKALSAR ne ek pause liya jisse dekh...


SHAILA-kya hua brain ko???kuch problem hai uske brain me...

MOKALSAR-problem tab hoti jab problem ka jad hota....


RAAZ KE PAAS 2ND BRAIN HAI HI NAHI.....WO BRAINLESS HAI.....








AAJ KE LIYE ITNA HI.....




AAPKA APNA V.J.....
 

Top