Fantasy ATTITUDE (KABHI ANGEL KABHI DEVIL) (vj4u)

Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI MOKALAR KO RAAZ KE DIMAG SE WHIZZES AUR WHIZZDERS KE SENSES EXTRACT KARTE WAQT YE PATA CHALTA HAI KI RAAZ KE PAAS SUBCONSCIOUS JISSE MAGIC HOTA HAI,WO HAI HI NAHI.



AB AAGE:-




CHAPTER-1


(UNFOLD THE RAAZ)



UPDATE-21




PLANET-EYLSIUM



PLACE- SOVEREIGN'S OFFICE




KAISA MEHSOOS KAR RAHE HAIN AB AAP SAB????


ye sawal MOKALSAR ne VIOLET, NOX, OPHILIA aur OMMIN se pucha tha jo unke infact teeno SOVEREIGN ke saamne khade the...

subah ka waqt hai... classes shuru hone me abhi kych waqt hai....kal chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS ko hosh aate aate shaam ho gayi thi....

RAAZ se un chaaron ke senses ko extract karne ke baad MOKALSAR ne chaaron ko gayab kar unke abodes me bhej diya tha...

reason...


hosh me aate hi un chaaron ke dimag me behosh hone se pehle ki ghatna ghumne waali thi...

teeno hi SOVEREIGN jaante the ki jo hua, uski wajah se chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS ko sharm mehsoos hogi isiliye MOKALSAR ne chaaron ko unke abodes me bhej diya tha but un chaaron ke hosh me aane ke baad hi mind to mind un sab ko bata bhi diya tha ki kal classes shuru hone se pehle wo chaaron office me report kare...

hidayat ke anusar chaaron hi sahi waqt par office pahunch chuke the...chaaron ke dimag ab sayyamit the but fir bhi bina kuch kahe chaaron SOVEREIGN'S ke saamne sir jhukaye khade the aur isiliye hi MOKALSAR ne unse ye sawal kiya tha jiske baad......


CHAARON-we are good SOVEREIGN....

MOKALSAR-sharmindagi mehsoos karne ki wajah jaan sakta hun....!!!


MOKALSAR ke sawal ko sun ek baar unki taraf dekh chaaron ne firse apna sir neeche kiya aur...

OMMIN- SOVEREIGN,ye sab meri galti hai..RAAZ ke behaviour,uske ATTITUDE ko dekh mai jaanana chahta tha ki uska brain kitna active hai,kitna sharp hai!!!

aur isiliye hi maine uske brain par PRAKRATI KAROTI ka spell kiya but maine socha bhi nahi tha ki aisa bhi kuch ho sakta hai....

MOKALSAR-dimag ki activation kitni hui hai,iske baare me knowledge ki bhi koi class ab shuru ho gayi hai kya????


MOKALSAR ki baat ek taana thi,jisse samajh chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS chup hi rahe...


MOKALSAR-ye koi mamuli school ya college nahi hai,jisme hum bache ki growth process badhane par kaam karen!!!

naahi yahan SAVENTS aur unke ATTITUDE par kisi tarah ka research kiya jaata hai...

khair,mera sawal tha ki aap sabko sharmindagi kyun mehsoos ho rahi hai...??? par shayad aap chaaron mere sawal ko hi nahi samajh paayen hain...

aapka RAAZ par REVEALING SPELL bolna,ye koi aisi badi galti hai hi nahi jispar sharminda mehsoos karna pade....

OMMIN,aapki galti tab badi bani jab aapne baaki teeno WHIZZES aur WHIZZDER ko help ke liye awaaz di...

aur aap teeno, OMMIN ke spell ko repeat karte waqt kya aapko ek baar bhi man me ye khayal nahi aaya ki isse RAAZ ke dimag par negetive asar pad sakta hai...

aur VIOLET,tum!!!tum kya karne jaa rahi thi???tum ATTACH MODE try karne waali thi,right???


MOKALSAR ki baat sun baaki teeno WHIZZ aur WHIZZDERS ne aascharya se VIOLET ki taraf dekha..

unke liye bhi ye baat ek news ki tarah hi thi....

wahin VOILET jo pehle hi apni us harkat ke liye man hi man khud ko kos rahi thi,ab uska guilt aur badh gaya tha....


MOKALSAR-yahan institution me bina BARRIERS ke,kawach ke us mode ko use me nahi laaya jaata warna anjaam bohot bura ho sakta hai...

itni basic baat tum bhul gayi....


MOKALSAR ki baat sun VOILET ki aankhen halki geeli ho gayi thi...unhe toh hosh me aate hi samajh aa gaya tha ki kal subah panic hone ki wajah se wo kya galti karne jaa rahi thi....

aur ab MOKALSAR ki baaton ne us realization ke asar ko 10 times badha diya tha...

wahin SOVEREIGN'S bhi un chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS ki mano sthithi aur giult ko samajh rahe the but filhal strict hona zaroori bhi tha....


MOKALSAR-ek baar maine pehle bhi OPHILIA se keh diya tha ki RAAZ ko avoid karen...ek baar firse same baat dohra raha hun aap sabse...

class me focus kijiye... RAAZ agar chahta hai toh usse train kijiye nahi toh 31 aur SAVENTS hain class me.....unpe concentrate kijiye...

is that understood????

CHAARON-yes SOVEREIGN....

MOKALSAR-aap sab jaa sakte hain...aapki class ka waqt hone waala hai...

OMMIN-SOVEREIGN,how is RAAZ?????

MOKALSAR-he is good...usse bhi kal hi hosh aa chuka tha....


bas itna hi bataya MOKALSAR ne un chaaron ko...wo jaante the ki agar kuch zyada bataya,toh fir apne dimag ke ghode daudane lag jaayenge wo chaaron....

wahin MOKALSAR ki baat sun wo chaaron bhi relaxed ho gaye...

RAAZ ke baare me toh wo kal shaam se jaanana chahte the, but kal shaam ko hosh me aane ke baawjud un sabme itni weakness thi ki wo NAYATI KAROTI (FIND OUT) ke spell ko use me laa RAAZ ke baare me pata karne ke layak nahi the....

aur fir aaj subah subah hi ready ho wo yahan institution me aa gaye the aur aate hi un chaaron ko batti padne lagi thi jiski wajah se wo RAAZ ke baare me ab se pehle puch nahi paaye the...

khair,ab unhe jawab mil gaya tha jisse sun chain ki saans lete hue wo chaaron office se nikal gaye...




PLACE-BRAIN AMPLIFICATION CLASS



GOOD MORNING SAVENTS....

GOOD MORNING WHIZZES,
GOOD MORNING WHIZZDERS....


apne saamne apne chaaron regular WHIZZES aur WHIZZDERS ko dekh kar SAVENTS khush ho gaye the....

wahin aaj shayad ye pehli baar tha jab chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS RAAZ ko dekhkar khush hue the....


OPHILIA-toh kal aap sab apne next PHASE ke WHIZZ se mile the... how was the experience???

SAVENTS-great WHIZZ....

MAHI-WHIZZ, EDWINA WHIZZ ne hume cerebration process pause karne ke baad lagne waale jhatke ko tackle karne ka ek bohot acha idea bataya tha...

aur ussiki wajah se hum sab kaafi jhatkon tak apne apne CEREBRATION process ko paused rakh paaye the...

but fir hamare dimag ki ray ki urja itni badh gayi ki uske prabhav se hum sab ka cerebration process fir se shuru ho gaya...


MAHI ki baat sun aur khaas kar uski last sentence ko sun....


OPHILIA-NEEPHATIYE KAROTI

YESTERDAY'S SCENE



OPHILIA WHIZZ ke aisa kehte hi ek ray unke haath se nikal saare SAVENTS ki aankh par padi jiske agle hi pal un sabki aankhon se ek nayi ray nikal WHIZZES, WHIZZDERS aur SAVENTS ke beech hawa me aakar rook gayi...

aur aisa hote hi wahin hawa me ek chalchitra chalne laga...ye chalchirta darasal kal class me jo bhi hua,wo scene tha...

jisse WHIZZES, WHIZZDERS aur SAVENTS bhi badi dilchaspi se dekhne lage....

jaise jaise scene aage badhta gaya, kal ki class me SAVENTS ke performance ko dekh kar chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS kaafi khush dikh rahe the,aur MAHI, ALFREEN aur MABEL ke performance ne toh unki Khushi chaar guna badha di thi...

reason.....

jahan saare SAVENTS apne dimag ke ray se lagne waale jhatken bas 2 se 3 baar hi jhel paaye the,wahin MAHI, ALFREEN aur MABEL kaafi jhatkon ke beech apne dimag ko pause rakhne me kaamiyab hue the..

aur jis urja ke badhne ki baat MAHI ne ki thi,wo urja brain amplification ko trigger karne ki last rukawat thi...

agar us ek jhatke ko ye teeno jhel jaati toh un teeno ka dimag METAPHYSICAL powers aur magic use karne ke liye ready ho jaata...

kal ki puri class dikhane ke baad wo chalchitra automatically gayab ho gaya....


VIOLET-well done SAVENTS....aap sabne wakayi kaabile tarif koshish ki hai...

and MAHI, ALFREEN, MABEL...aap teeno toh baakiyon se bhi aage nikal chuko hain...

aap teeno ko ye jaankar behad khushi hogi ki jis urja ke tez prabhav ke kaaran kal aap teeno ka CEREBRATION process fir se shuru hua,wo urja aap sabki last barrier hai....

agar aap us ek aakhri barrier ko paar kar len toh aapka brain amplify ho jaayega jisse aapki METAPHYSICAL ability start ho jaayengi...

matlab aap officially magic karne ke laayak ho jaayengi....


VIOLET WHIZZ ki baat sun ALFREEN, MAHI aur MABEL shocked toh hue hi but saath hi un teeno ki khushi ka thikana naa raha....

teeno ne hi man hi man ye nishchay kar liya ki ab kuch bhi ho jaaye,unke dimag me kitna hi bada jhatka bhale kyun naa lage, but wo is aakhri barrier ko paar kar ke hi rahengi....


VIOLET- SAVENTS...abhi jo chalchitra aap sabke saamne chala,usme aap sabne bhi MAHI, ALFREEN aur MABEL ka performance dekha...

same focus,confidence aur most importantly ATTITUDE ki zaroorat aap sab ko bhi hai...

waise toh aap sab ne bhi kal kaafi acha perform kiya but utna kaafi nahi hai...aap sabko aur mehenat karni hai....

agar aap apne focus ko aur strong karenge, apne will power ko thoda extra push karenge toh aap sabka CEREBRATION process karne ka maksad successful ho jaayega and then,your actual class, your journey will start...

toh aaj ki koshish shuru karen????

SAVENTS-yes WHIZZ....


ek confident awaaz pure class me gunj utha tha jiske baad sabhi SAVENTS apni apni jagah par paalthi maar baith gaye aur agle hi pal un sabki aankhen band ho chuki thi....

aakhen band kar apne apne CEREBRATION process ko pause mode me laa sab apne dimag ke beech dikh rahi ray ki taraf badh chale...

wahin in sabse alag mai har din ki tarah bas apni aakhen band kar baith gaya tha....

is baat ko chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS ne bhi notice kiya...

waise toh meri is harkat par wo chaaron hamesha naraaz hote the but aaj unhe bas afsos hua tha...

reason.....

unhe pata tha ki aaj ya fir ek do din me hi baaki saari class successfully apna brain amplify kar lenge aur aisa hote hi unki brain amplification ki class shuru ho jaayegi...

aise me bas RAAZ hi ek aisa rahega jo khaas hokar bhi sadharan reh jaayega...

khair,as ordered,is baare me wo kuch kar toh sakte nahi the isiliye sabne mujhpar se dhyan hata baaki saare SAVENTS par focus karna hi thik samjha...

wahin ab tak saare SAVENTS ke dimag me teen se chaar jhatken lag chuke the but abhi tak sabhine un jhatkon ko sehen kiya tha....

yahi wajah thi ki ab sabke dimag me paida hue ray ka size kaafi badh gaya tha jisse dekhte hue sabhi SAVENTS apne apne chitt ko us ray se jodne ki koshish me lag gaye the....

us ray ke aakar me vridhi sirf SAVENTS ke dimag ke andar hi nahi ho rahi thi,balki us ray numa urja se nikalne waale tej ki gawahi pura class de raha tha...

is waqt sabhi SAVENTS ke sir waale hisse se ek light nikal rahi thi jisne pure class ko roshni se nehla diya tha...

aur ye roshni har beetathe pal ke saath badhti hi chali jaa rahi thi...

har beetathe second ke saath saare SAVENTS ke mastishk ke andar us ray numa urja ka aakar aur uska prabhaav badhta hi chala jaa raha tha aur fir....

AAHHHH....................


ek dard bhari aah ke saath lagbhag pure class ka CEREBRATION process wapas shuru ho gaya jiska matlab tha ki sabki aankhen khul chuki thi....

par is beech teen aise bhi SAVENTS the jinki CEREBRATION process ab bhi paused thi...

MAHI, ALFREEN aur MABEL....

par kyunki wo teeno apne brain ko amplify karne ke last stage par the,isiliye unke dimag se nikalti light kaafi zyada thi jiski wajah se koi bhi kuch bhi nahi dekh paa raha tha...



NETRAM SAMGAHAM KAROTI....

CLEAR THE SIGHT....


NOX ke is SPELL ko bolte hi pure class me tez roshni hone ke baawjud ab sabhi apne aas paas asaani se dekh paa rahe the....

aisa hone par sabhi ki nazar aas paas aur fir in teeno SAVENTS MAHI, ALFREEN aur MABEL par padi jisse dekh baaki SAVENTS shocked aur WHIZZES aur WHIZZDERS behad khush ho gaye...

WHIZZES aur WHIZZDERS ko yakin ho gaya ki ye teen SAVENTS aaj kisi bhi haal me apne apne brain ke amplification mode ko activate kar ke hi maanenge.....

aur hua bhi kuch aisa hi....

MAHI ke mastishk ke upji ray ne ab vikral roop le liya tha...

is waqt us ray ne MAHI ke pure dimag ko ghera hua tha jiski wajah se MAHI ke dimag ko tez jhatke lag rahe the....

par is visham paristithi me bhi apne chitt ko ekagrit kar MAHI ne khudko bilkul thehre paani ki tarah shaant banaya hua tha...

kuch der tak MAHI ko jhatke lagte hi rahe par jab in sab ke baawajud bhi MAHI ka CEREBRATION process paused hi raha toh,

jaisa ki brain ampification ke baare me WHIZZ ne bataya tha,us ray numa urja ne MAHI ke subconscious brain ke saare nerves ke andar ghusna shuru kar diya....

jiski wajah se MAHI ka brain ek hi waqt par barf si thandak aur aag si garmi mehsoos karne laga....

wahin jaise jaise MAHI ke subconscious brain me wo rays ghuste chale gaye,un rays ki wajah se class bhar me jo roshni faili hui thi,wo bhi kam hone lagi....

dheere dheere wo saari urja numa roshni MAHI ke subconscious brain ke andar sama gayi aur aisa hote hi ek baar firse pure class me roshni fail gayi par ye sirf chand seconds ke liye hi tha...

kuch second baad wo roshni firse gaayab ho gayi....

MAHI ka brain amplify ho chuka tha jisse is waqt MAHI apne dimag ke har nas,har nerve ko feel kar paa rahi thi..

usse aseem shanti ki amubhuti ho rahi thi aur isiliye hi uski aankhen ab bhi band thi...

wahin uske saamne khade chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS is feeling ko jaante the...

kabhi unhone bhi same feeling jee thi..isiliye wo bas khade khade muskura rahe the ..

MAHI ka toh brain amplified ho chuka tha but ALFREEN aur MABEL ke CEREBRATION process ab bhi chaalu the...

darasal unke dimag ke har hisse me bhi us ray numa urja ne ghera bana liya tha aur dheere dheere andar ghusne ki koshish kar rahi thi but aisa hote waqt jo thandak aur garmi ek saath mehsoos hoti hai,uski wajah se ALFREEN aur MABEL ka CEREBRATION process distract ho raha tha...

baar baar unka dimag unke us process ko shuru karne ki koshish kar raha tha but apne super strong will power ki wajah se ye dono apne lakshya ki purti hetu lage hue the...

kuch samay zaroor zyada laga but fir wo samay bhi aaya jab wo ray numa urja puri tarah se un dono ke subconscious brain me sama gayi aur aisa hote hi jaisa MAHI ke saath hua tha,waisa hi unke saath bhi hua...

puri class roshni se naha gayi par fir kuch hi seconds me saari roshni vilupt ho gayi....

ab tak MAHI ne apni aakhen khol li thi aur uski nazaren apne dono doston par hi tiki thi...

kuch der baad jab ALFREEN aur MABEL ki aankhen khuli toh unhone bhi sabse pehle MAHI ki taraf dekha...

reason...

ek SAVENT jab apne subconscious brain ko stimulate kar active kar leta hai, toh usse apne jaise har SAVENT ki moujudgi ka ehsaas hone lagta hai...

aaj ye ehsaas in teeno ko pehli baar hua tha jiski wajah se aankh khulne par teeno ki nazar ek dusre par gayi...


VIOLET-APRRATIM...ADHBHUDH......

bohot ache MAHI, ALFREEN aur MABEL...aap teeno is saal ke pehle teen official FIRST BORNS hue....


VOILET WHIZZ ki baat sun teeno ke chehre par garv bhari muskaan aa gayi...


OPHILIA-aur baakiyon ne bhi jaisi koshish aaj ki hai,hume pura yakin hai ki bohot jald aap sab bhi in teeno ki hi tarah official FIRST BORNS ban jaayenge...

MAHI, ALFREEN, MABEL...kunki aap teeno wo pehle teen SAVENTS hain,jinhone brain AMPLIFICATION ke base ko clear kiya hai isiliye aap teeno ko ek LIBERTY milegi.....

ab ye LIBERTY kya hai,ya aap teeno ko kal class me pata chalega....

aaj ke liye class dismiss....


ye bol chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS class se bahar nikal gaye...

wahin un chaaron ke jaate hi saare SAVENTS in teeno ke paas aakar inhe badhayi dene lage...

but WHIZZES aur WHIZZDERS ke class se nikalte hi mai bhi wahan se nikal hostel ki taraf chal pada......




BACK TO SOVEREIGN'S:-



KIS KHAYAL ME KHOYE HUE HO MOKALSAR????


AKSHAANT ke is sawal par....


MOKALSAR-jiske jawab pata hon,uske sawal nahi pucha karte mere dost....

AKSHAANT-ek khayal ki shamata kayi hazar sawaal ki hoti hai???

ab un hazar sawalon me aisa kaun sa sawal hai,jisne tumhe soch me dubaye rakha hai,ye mujhe kaise pata hoga????

MOKALSAR- kya baat hai???aaj LORD OF ANGEL ke tark nikal rahe hain tumhare mooh se....

AKSHAANT-hain toh hum sab unhise....jhalak toh dikhegi hi....


AKSHAANT ki baat sun pehle toh MOKALSAR muskuraya aur fir....


MOKALSAR-mai in chaaron ke un rays ke baare soch raha hun jo RAAZ ke brain ne rok liya tha...

SHAILA-haan,kisi manushya ka dimag aisa bhi kar sakta hai,ye pehle kabhi suna nahi hai...

par MOKALSAR,isse atyadhik mahatvapurn wo baat hai jo kal tumne adhuri chhod di thi....

AKSHAANT-bilkul..mai bhi kal se lagatar ussi ke baare me soch raha hun...brain hai hi nahi!!!iska kya arth hua....!!!!????

har bacche ke SAVENT hone ka ek tarah ka proof hota hai unka subconscious brain...

SHAILA-itna hi nahi,kyunki ek SAVENT khaas hota hai,isiliye uske dimag ki banawat bhi khaas hoti hai...

ek SAVENT ka subconscious brain uske conscious brain se zyada hota hai..

infact ek SAVENT ke subconscious brain ka aadha bhaag uske conscious brain ke upar chaddha hota hai...

aur yahi wajah hoti hai ki yahan aane se purv uske grah par bhi woh baakiyon ke beech asadharan hota hai...

uske conscious brain ko uska subconscious brain control bhi karta hai aur baakiyon se zyada kaabil bhi banata hai...

bina subconsious brain ke toh ek SAVENT ka conscious mind kaam karega hi nahi....

MOKALSAR-ye saari baatein mujhe pata hai... subconscious brain ek SAVENT ka sabse bada sach hota hai kintu ye bhi ek ajeeb kintu katu satya hai ki RAAZ ke paas ye brain nahi hai....

par is ajeeb satya ke saath ek aur satya bhi hai jo maine tum dono ko kal nahi bataya tha...

SHAILA/AKSHAANT-kaun sa satya???

MOKALSAR-kisi ka bhi sharir uske brain ki wajah se chalta hai...ye brain hi hai jisse sharir follow karta hai...

kal jab un chaaron ke senses ko lene ke liye maine apni urja RAAZ ke dimag me bheji thi,tab maine dekha ki sirf subconscious brain hi nahi ek aur chiz bhi hai jo RAAZ ke paas nahi hai...

ek aisi chiz jiske bina ek SAVENT toh kya ek aam insaan bhi nahi jee sakta...

SHAILA-matlab!!!saaf saaf batao MOKALSAR....!!!!


MOKALSAR-KHOON.....RAAZ KE PURE SHARIR ME KHOON HI NAHI HAI....








AAJ KE LIYE ITNA HI.....




AAPKA APNA V..J....
 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF MAHI, ALFREEN AUR MABEL,TEENO HI APNE PEHLE TARGET KO PURA KAR KHUDKO MAGIC KARNE KE YOGYA BANA LETE HAIN WAHIN DUSRI TARAF MOKALSAR SHAILA AUR AKSHAANT KO BATATE HAIN KI BRAIN HI KI TARAH RAAZ KE PAAS BLOOD BHI NAHI HAI.


AB AAGE:-




CHAPTER-1


(UNFOLD THE RAAZ)




UPDATE-22




PLANET-ELYSIAN



PLACE- MAHI'S ABODE




KYA KAR RAHI HAI HAMARI BETI??????


ye awaaz MARIA ki thi jo FLORIN aur ALFREEN ke saath shaam ke waqt MAHI ke abode pahunchi thi....

ALFREEN toh MAHI ke ghar aate hi rehti thi but aaj MARIA aur FLORIN ko apne ghar aata dekh MAHI kaafi khush ho gayi.....


MAHI-arre uncle,aunty,aaj aap dono yahan!!!!

MARIA-kyun,hum yahan nahi aa sakte kya???

MAHI-arre aunty..is ghar me mujhse zyada aap logon ka hak hai...

woh toh maine aap dono ko yahan expect nahi kiya tha,isiliye puch liya.....

FLORIN-expect...matlab apna maanti ho hume...kyunki expectations toh apno se hi rakhi jaati hai....


FLORIN ki baat sun MAHI bas muskura uthi....


MARIA-hum toh aaj bohot proud feel kar rahe hain... aakhir hamari dono betiyan wo pehli do SAVENTS bani jinhone apne dimag ke MAGIC barrier ko toda diya.....


ye bol MARIA ne MAHI ke maathe ko chum liya...

MARIA ne jo kaha hai,wo completely genuine tha aur is baat ko MAHI ke dil ne jaan liya tha...

zindagi bhar akeli rehne waali MAHI ke liye ye sab bilkul naya tha...

wo toh bachpan se hi har kaam me perfect rahi hai..har chiz me usne excel kiya hai but uski success ko uske talent ko dil se celebrate karne waala, uski khushi me khush rehna waala usse pehle kabhi nahi mila tha...

shayad yahi wo wajah thi ki itne saalon me pehli baar MAHI ko mom dad ke importance ka matlab samajh aaya tha...

aur filhal usse is naye safar me mili uski pehli jeet ki khushi FLORIN aur MARIA me dikh rahi thi....


FLORIN-first toh dono aaye hain but kya faayda???yahan toh hum kahin celebrate karne bhi nahi jaa sakte....

apne earth me hote,toh mai pure CLUJ NAPOCA ko dulhan ki tarah saja deta...

pura sheher ne aaj apne history ki sabse badi party dekhi hoti....


FLORIN ke baat karte waqt unki awaaz me,and most importantly unke ATTITUDE me jo sacchayi thi,wo MAHI saaf mehsoos kar rahi thi...


MAHI-aapne itna socha,mere liye toh yahi kisi party se kam nahi hai uncle....


MAHI ki baat sun FLORIN ek tak usse dekhne lage...unki aankhon me ek udasi thi jo MAHI ki nazaron se chhup nahi paayi aur isiliye....


MAHI-kya baat hai uncle??did i said something wrong....???

FLORIN-ye tum hi tay karo...taali ke bajne ke liye dono haathon ke milne ki zaroorat hoti hai...ye kaam ek haath se toh ho nahi sakta...

maine jo kaha,wo isiliye kaha kyunki janm se naa sahi par dil se maine infact humne tumhe apni beti maana hai....

par jo tumne kaha,kya ek beti apne pita se aisa kehti....!!!!

jaanti ho rishte me sabse zyada zaroori shabd kya hota hai???

HAKH...kisi bhi chiz par hakh rakhna....bhale hi wo chiz materialistic ho,ya fir emotions se bhari ho...

hakh hi wo jasba hai ho bharose aur apnepan,dono hi ehsaason ko darshata hai...

tumhari baaton me mere liye respect thi,pyar bhi tha par sabse important,HAKH nahi tha....


FLORIN ki baat sun aur us baat ki gehrayi ko samajh MAHI turant unke gale lag gayi....

MARIA ne bhi piche se MAHI ke sir par apni mamta ka haath fera....

wahin ALFREEN jo ab bhi chupchaap hi khadi thi,muskurate hue is behtarin lamhe ko dekh bhi rahi thi aur jee bhi rahi thi...

aaj abhi MAHI ki palken bheegi zaroor thi par ye wo paani tha jiska nikalna behad zaroori tha...

reason....


MAHI ne ab tak jo zindagi jee thi,wo kisi robot ke jaisi thi...saare upgradation hote chale aaye the ab tak uski zindagi me,but feelings,apnapan pyar...

in shabdon aur unke mayne se bilkul anjaan thi MAHI....

aur ab jis safar par wo nikal chuki thi,wahan in shabdon ki samajh hona atti aawashyak tha...

kyunki jis level ka talent MAHI ke andar tha,us talent ko contain karne ke liye feelings ka,apnepan ka,pyar ka hona bohot zaroori tha..

kyunki yahi wo chizen hain jo acchayi ko burayi se alag karte hain....

agar MAHI ke andar ye jasbaat apna ghar nahi banate,toh dharm aur adharm ek ho sakte the aur aisa hona sirf vidhwansh laata hai aur kuch nahi....

aaj tak MAHI ke dimag ne kaam kiya tha...par aaj FLORIN ke seene se lag pehli baar MAHI ka dil kaam kar raha tha...

wo dil jiske bina dimag ki koi haisiyat nahi... jiske bina roshni aur andhere me koi antar nahi...

wo dil jisse sahi tarah dhadakne ka hunar THE CHOSENS jaisa mahan institute bhi nahi sikha sakta tha....

FLORIN toh yahan bas MAHI ko ye ehsaas dilane aaye the ki wo is anant bramhaand me akeli nahi hai....

wo ye jatane aaye the ki ALFREEN aur MAHI unke liye ek hi sikke ke wo do pehlu hain jinke bina us sikke ka koi mol nahi...

par wo ye nahi jaante the ki jaane anjane me unhone MAHI naam ki is human robot ko wo sikha diya hai jo uske super talented WHIZZES aur WHIZZDERS nahi sikha paaye aur naa kabhi sikha paayenge...

PYAR....SAMARPAN.....TYAG....

wo teen feelings jinki wajah se janm hota hai ek ANGEL ka

aur jiski absence paida karti hai ek DEVIL ko....

wo teen shabd jinhe agar saath laaya jaaye toh judkar banta hai ek naya shabd....

ATTITUDE......



PLACE-HOSTEL




YAAR RAAZ,EK BAAT BATA...TU HAMESHA BED PAR YUN SIR KO TIKA KAR BAITHA AANKHEN BAND KAR KYA SOCHTA REHTA HAI????


yahan bhi shaam ka hi waqt hai...mai apne bed par aankh band kar baitha tha ki tabhi mere kaano me ye awaaz padi jo ki nikli thi hamare ACCHUTA bhaisahab ke mooh se jo SLUNDER ke saath mere room me padhare the....


MAI-sochta nahi hun... pray karta hun....

ACCHUTA-prayer aur tu!!!!tere haav bhaav dekhkar toh lagta hi nahi ki tu GOD par believe bhi karta hoga...

waise agar koi bohot bada secret nahi hai toh tu apna prayer humse share kar sakta hai...

MAI-mai yahi pray karta hun ki tum dono mere room me kabhi naa aao....


meri baat par ACHHUTA toh has diya par SLUNDER ka chehre par meri baat sun naarazgi dikhne lagi thi...


ACCHUTA-arre bhai,koi aisi dua maang jo kubool ho...teri ye wish toh jeeteji kubool hone se rahi...


ye bol ACHHUTA ki nazar SLUNDER ke taraf gayi jisse dekh wo samajh gaya ki usse meri baat pasand nahi aayi hai....


ACHHUTA-arre yaar,tu har choti choti baat par mooh kyun phula leta hai....????

saale,bas hardware hi ladke ka hai..lagta hai tera poora software loundiyon waala bana hai....

SLUNDER-bura lagne waali baat par bura toh lagega hi.....par afsos,tune toh ye hunar sikha hi nahi...

ACCHUTA-bhai hunar wahi sikhna chahiye jisse faayda ho...jis hunar se khud hi kaa khun jale,aisi kaabiliyat ko khudse jitna door rakho,utna acha hai....

par afsos tune ye hunar sikha hi nahi.....


aakhri line ACHHUTA ne SLUNDER ki copy karte hue kahi jisse sun pehli baar SLUNDER bhi muskura utha....


ACCHUTA-oye teri.....ye kya keher dhaa raha hai bhai tu!!!!tujhe hasna bhi aata hai....gazab!!!!

par bhai,ek baat kahun,tu naa serious hi thik hai....tere hasne se tere daanth aur bhayanak dikhte hain....


ACCHUTA ki baat sun SLUNDER ne usse ek baar ghur kar dekha,but fir muskura diya...

ACHHUTA fir usse kuch kehme waala tha ki....


MAI-ye saari baatein is room se baahar jaakar bhi kar sakte ho...filhal,yahan kyun aaye ho,ye batao????


meri baat sun ek lambi saans chhod.....


SLUNDER-tujhe apne baare me kuch batana hai....

MAI-kyun????

SLUNDER-jo log apni tanhaiyon se nikal dusron ki khamoshi me dakhal dete hain,aksar shor macha uththe hain unke RAAZ....(update 17..last line)

us din tumhare kahe is baat ka,is parable ka matlab jaanta hun mai RAAZ....

tere naam ki hi tarah hamare bhi kuch RAAZ hain...aise RAAZ jo koi nahi jaanta... siwaye SOVEREIGN'S ke....

hume ye toh nahi pata ki tujhe humare RAAZ ho sakte hain,iska shak kaise hua,par us din teri baat ya ye kahun ki tere bole parable ka yahi matlab tha aur isiliye...

hum tujhe apne wo RAAZ batana chahte hain...

MAI-sawal ab bhi wahi hai..kyun????

SLUNDER-bhai iska exact reason toh hum bhi nahi jaante....par pata nahi kyun,tu apna sa lagta hai...aisa lagta hai tujhse hum kuch bhi share kar sakte hain...bina is dar ke ki kahin tu hamari baat kisi ko bata naa de???

MAI-bina pause liye bol....


ek baar meri taraf dekh...


SLUNDER-yahan is institution me hostlers tab bante hain jab us SAVENT ke mom dad nahi hote...

but mere infact mere aur ACCHUTA dono ke hi mom dad zinda hain...

but wo jis condition me hain,us condition ko maut hi maana jaanta hai....

mai CARAPACE planet se hun....aur ACCHUTA ARROW planet se...

hum dono ke hi grah ek hi solar system ke part hain aur saath hi ek dusre ke rivals bhi...

aur rahi baat hum dono ki toh hum dono ka hi background bohot strong hai...

mai apne planet ka prince hun wahin ACCHUTA ARROW planet ka uttaradhikari hai...

hamare solar system me kul 22 planets hain jinme se 12 me human existence hai...

aur in 12 planets me hum dono ke planets sabse aage hain...isiliye trade treaty ke tahat hum dono planets baaki ke 10 planets ko chalate hain....

hum dono ke hi planets technology ke maamle par shikher par hain..wahin baaki ke 10 planets har equipment ke liye,hathiyar ke liye,har department ke upgradation ke liye hum dono planets par dependent hain....

aur yahi wajah hai ki hum dono ke Planets rivals hain....

dono hi planets ke brilliant minds ki yahi koshish rehti hai ki dusre planet se kisi tarah aage nikle...

trade par kisi tarah sirf khud ka hi control ho....but dono hi planets par hamesha se equal talent hi raha hai...

par mere paida hone aur bade hone ke saath saath meri kaabiliyat sabko dikhne lagi thi...

jo mere planet ke 1000 genius mature log milkar bhi nahi kar sakte the,wo bohot choti umar me mai aasani se kar paa raha tha...

jisse mere mom dad aur baaki sabko laga ki ab hum ARROW planet se aage nikal jaayenge but fir hume pata chala ki meri hi tarah ARROW planet me bhi ek genius ne janm liya hai..

jo ki meri hi umar ka hai aur usme meri hi tarah capabilities hai....aur issi wajah se hum dono ke planets wapas equal level par aa gaye....

but fir yahan aane se 1 week pehle mere aur mere mom dad ke saamne hawa me ek roshni utpann hui jisme se ek awaaz nikli...

aur us awaaz ne hi mujhe apne baare me aur yahan ke baare me bataya jisse sun mujhse zyada mere mom dad khush ho gaye...

hum me se kisi ko kuch khaas idea toh nahi tha ki mera ye naya safar kaisa hoga but mom dad ne itna toh andaza laga hi liya tha ki agar mai apne is naye safar me kaamiyab hua toh mai itna kabil ban jaauga ki apne Planet ko ARROW PLANET se aage le jaaunga....

us din hamare pure Planet me jashn manaya gaya.....raat ko sone jaane ke waqt bhi mere mom dad ke chehre khile hue the but unke chehre ki wo muskaan shayad unki aakhri muskaan thi...

raat ke karib 2 baje jab mai soya hua tha tab achanak mujhe bechaini si hui jiski wajah se mai jaag gaya....

aur jaagte hi mere kadam mere mom dad ke room ki taraf badh chale...

par jab mai unke room ke saamne pahuncha toh mujhe ajeeb laga kyunki unka room khula hua tha....

jigyasa vash me jab andar gaya toh andar ka nazara dekh mujhe jhakta laga...

reason.....

andar mom dad ke bed ke theek side me ek aadmi khada tha jiske haath se kaali rays nikal mere mom dad ke sir me sama rahi thi...

ye sab dekh maine chillakar usse awaaz di..mere awaaz sun wo piche palta aur muskurate hue mujhse bas itna kaha ki mai fikr naa karun...

wo bas mere mom dad ko ek gehri neend me sula raha hai... aaj ke baad mere mom dad ko kabhi koi taklif nahi hogi....

kyunki ab mere mom dad kabhi bhi nahi uth paayenge...usne mujhse kaha ki mai darun naa,mere mom dad jeevit hain par jeeven jaisi koi baat ab unme kabhi nahi dikhegi...

uski baat sun mai uski aur tezi se badha aur uske paas pahunch jaise hi maine usse maarne ki koshish ki,wo gayab ho gaya...

par wo ab bhi wahin hi tha kyunki agle hi pal mujhe uski awaaz firse sunayi di....

jisme usne khud ka naam bataya aur saath hi kaha ki mai apne mata pitah ko thik karne ki koshish naa karun kyunki mera har prayas vyarth jaayega...

iske baad uski awaaz nahi aayi...mai turant apne mom dad ki taraf palta aur jaise hi maine un dono ke sir ko chhua,toh mujhe jhatka laga...

reason.. dono ke hi sharir thande the jaise ki kisi murde ke hote hain...

mujhe laga ki wo dono mar gaye jiski wajah se mai rote hue pehle apni mom ke seene se jaa laga par fir agle hi pal mujhe fir ek jhatka laga....

reason....

mom ka heart beat kar raha tha... aakhon me ascharya liye maine dad ke pulse ko check kiya...

unka bhi pulse chaalu tha..iska matlab us anjaan shatru ne sach kaha tha...

mere mom dad zinda the but jeeven jaisa ab unme kuch nahi bacha tha...

agle din ye baat pure planet me fail gayi jisse hamara pura planet shok grast ho gaya...

hamare grah ke uchh koti ke doctors ne mere mom dad ki condition ke baare me samajhne aur unhe theek karne me apni puri jaan lagadi par jaisa us shatru ne kaha tha,koi result nahi nikla...sabhi behad nirash ho gaye the.

par is beech shaam hote hote mujhe ek nayi surprising baat pata chali...mujhe pata chala ki jo kal yahan mere mom dad ke saath hua tha,wahi same chiz ARROW grah me bhi wahan ke king aur queen ke saath hui thi...

mere kuch din yunhi shok manate hi guzar gaye...

par fir ek din AKSHAANT SOVEREIGN mere saamne prakat hue..unhone mujhe apni pehchaan batayi aur saath hi mere mom dad ko dekhne ki iccha zaahir ki...

unke baare me jaankar mujhe bhi ek aasha bandhi thi...mai unhe mom dad ke kaksh me le gaya jahan wo ussi jeeven maran ke beech ki haalat me lete hue the...

AKSHAANT SOVEREIGN ne un dono ke sir par haath rakh koi spell bola jiske kuch der baad unke maathe par pareshaani ke bal ubhar aaye...

unhone mujhe bataya ki mere mom dad ke upar ek aisa dark energy se bhara SPELL bola gaya hai jiski wajah se mere mom dad ke dimag ka har conscious aur subconscious nerve bimar padh gaya hai jiski wajah se mere mom dad PERSITANT VEGITATIVE STATE me chale gaye hain....

is state me insaan gehre unconscious me chala jaata hai...isme higher brain ka funtion kaam karna completely band ho jaata hai...

(ye condtion,ye state,scientifically real hai doston..bas dark energy waali baat imaginary hai...)


NIRWAHALIKA.....yahi naam bataya tha SOVEREIGN ne us spell ka jisse mere mom dad ki wo haalat hui thi....

unhone bola ki unconsciousness me bhejne ke liye bas yahi ek aisa spell hai jisse yunhi kaata nahi jaa sakta...

is state se kisiko baahar sirf CHETANA BUTI se hi laaya jaa sakta hai jo sirf ek hi jagah paayi jaati hai aur wo jagah ELYSIAN matlab yahan hain..

but unfortunately wo jagah pratibandhit hai...wahan jaaya nahi jaa sakta...

AKSHAANT SOVEREIGN ki baat sun mai ek baar firse nirash ho gaya...

unhone mujhse pucha ki kya mai ab ELYSIAN jaana chahta hun...

ispar maine socha ki wahan CARAPACE me rehkar bhi koi faayda nahi kyunki mom dad toh waise bhi thik hone waale nahi isiliye mai yahan aa gaya....

aur waise bhi mom dad ko thik karne ke liye jo chiz chahiye thi,wo bhi yahin thi...

haan, SOVEREIGN ne us jagah ko pratibandhit bataya tha par mai bina koshish kiye haar nahi maan sakta tha....

aur fir mai yahan aa gaya...mere saath saath ACCHUTA bhi pahuncha tha....

hamare solar system me kisi ek planet me har saal trade ke liye sandhi sammelan hota hai.. pichle saal ke sammelan me maine ACCHUTA ko dekha tha isiliye isse turant pehchaan gaya tha...

waise toh ye mere rival Planet ka prince hai but kyunki ye bhi ussi condition se guzar raha tha jisme mai tha isiliye mujhe isse dekh zara bhi shatru waali feeling nahi aayi....

balki ek ajeeb si sanvenda ka bhaav mere hriday me iske liye jaaga tha.....

kyunki hum dono ke hi maata pita jis condition me the,us condition ko jeevit aur mrit dono hi condition me gina jaa sakta hai isiliye SOVEREIGN'S ne hum dono se kaha ki hamara yahan ka stay hamari marzi ke hisaab se hoga...

hum ABODE me bhi reh sakte hain aur HOSTEL me bhi...

aisho aaram zindagi bhar kiya hi tha humne.ab uski aur chaah bachi hi nahi thi aur isiliye hum dono ne hostel chuna....

hostel aakar ACCHUTA ne mujhe apne side ki kahani sunayi thi...


ACHHUTA-jo slunder ke saath hua tha,wahi mere saath bhi hua tha...

bas alag tha wo shaksh jisne mere mom dad ko ussi marne waali condition me pahunchaya tha....

mere mom dad ko us condition me pahunchane waale ka naam tha DORIAN...

SLUNDER-aur jisne mere mom dad ko jeete ji maar diya tha,uska naam tha GASTON.....

ACCHUTA-iske planet me AKSHAANT SOVEREIGN gaye the wahin mere Planet me SHAILA SOVEREIGN aayi thi...

SLUNDER-aur wo jagah jahan is waqt hamare mom dad ka ilaj chuppa hai,us jagah ka naam hai THE FORBIDDEN FOREST...

joki yahi ELYSIAN Planet me hi kahin hai... yahan pahunchne ke agle hi din mai apne INSTITUTION ke library me gaya tha jahan par mujhe FORBIDDEN FOREST ki book mili thi jisse maine apne paas rakh li aur har din usme uske baare me padhta rehta hun taaki ek din wahan jaakar kisi bhi tarah hum dono ke parents ke liye wo CHETNA BUTI nikal paaun....


SLUNDER aur ACCHUTA dono hi apni apni kahani khudme khoye hue,un saare palon ko jo unke saath ghati thi,usse firse jeete hue bata rahe the...

unka dhyan ab tak mujhpar nahi gaya tha but ab jab wo apni dastan bata chuke the,toh unki nazar mujhpar gayi aur aisa hote hi wo dono chownk gaye....

reason...


meri ankh band aur mooh khula hua tha...matlab mai so chuka tha...

mujhe aisa dekh aaj pehli baar SLUNDER ko nahi balki ACCHUTA ko ghussa aaya tha...


ACCHUTA-ye saala kaisa banda hai yaar..isme koi feelings hai bhi yaa nahi....

SLUNDER-chhod naa yaar...ek ka dard dusre ke liye tamasha hi hota hai.... chal,chalte hain...


ye bol SLUNDER ACHHUTA ke saath mere room se nikal gaya aur unke jaate hi.....


meri aankhen khul gayi....



tumhari khwahishon ke saath
bohot kuch AZAAD HOGA....

mera bhi toh aarambh
anth ke BAAD HOGA....








AAJ KE LIYE ITNA HI....







AAPKA APNA V.J....
 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF MAHI KO FLORIN RISHTON KE BEECH KI BHAVNAON KA EHSAAS DILATE HAIN WAHIN DUSRI TARAF ACCHUTA AUR SLUNDER RAAZ SE APNI KAHANI SHARE KARTE HAIN.


AB AAGE:-



CHAPTER-1


(UNFOLD THE RAAZ)




MEGA UPDATE-23




PLANET-ELYSIAN



PLACE-THE CHOSENS




GOOD MORNING SAVENTS....

GOOD MORNING WHIZZES....

GOOD MORNING WHIZZDERS.....



charon WHIZZES aur WHIZZDERS ki greetings ka SAVENTS ne jawab diya....

subah ka waqt hai....aaj sabhi SAVENTS waqt se pehle hi institution pahunch gaye the...

reason...

excitement....kal ki class me sabhi ne kaafi acha perform kiya tha....

wahin MAHI, ALFREEN aur MABEL ne toh apne apne subconscious brain ke magical nerves ko access bhi kar liya tha aur is baat se baaki saare SAVENTS behad motivated ho gaye the....

sabka confidence level,passion kayi guna badh chuka tha...aaj sabhi apne apne man me thaan ke aaye the ki wo sab bhi in teeno ki hi tarah aaj khudko metaphysical activities aur magic ke liye eligible kar ke hi rahenge....

sabhi ke aankhon me ek chamak thi jo chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS ki nazaron se chuppi nahi thi...

saare SAVENTS ke confidence aur josh ko ye chaaron achi tarah se feel kar paa rahe the....

aur in sab ke beech MAHI, ALFREEN aur MABEL toh double excited the...

reason....

kal class ke end me VIOLET WHIZZ ne un teeno se aaj unhe milne waali liberty ke baare me jo kaha tha....

bas issi wajah se wo teeno kaafi excited bhi thi aur curious bhi....


NOX-kya baat hai!!!aaj toh sabhi NEWBORNS kuch zyada hi excited dikh rahe hain...

good....

jo excitement abhi aap sab feel kar rahe hain,agar wahi excitement,josh, confidence aaj aap apne apne CEREBRATION process ke waqt bhi mehsoos karte rahe,toh MAHI, ALFREEN aur MABEL ki hi tarah aap sabka brain bhi aaj MAGIC use karne ke liye stimulate ho jaayega....

VIOLET-MAHI,ALFREEN & MABEL.....jaisa ki kal aapko bataya gaya tha ki kyunki aap teeno wo first three SAVENTS hain,jo apne apne MAGIC BARRIERS ko hata paane me successful rahe hain,isiliye aap teeno ko ek liberty milegi....

hamare first class me aapko aapke next PHASE matlab PHASE 2 ke baare bataya gaya tha....

aap sab ko uske baare ke yaad toh hoga hi...

SAVENTS-yes WHIZZ...

VOILET-aapke PHASE 2 ka naam hai GROOMERS....

ye naam isiliye hai kyunki first PHASE me matlab is phase me aap sab jo jo sikhenge,agle PHASE me us sikhsha ke sthar ko badhaya jaata hai....

aap sabke abilities ko multiply kar nikhara jaata hai...aap jis jis abilities me ache honge,un abilities ko perfection ki disha me mould karne ki koshish ki jaati hai...

ek shabd me kahun toh aapko aur aapki abilities ko GROOM kiya jaata hai aur isiliye hi aap sabke next PHASE ka naam GROOMERS hai...

aap sabko ye bhi yaad hoga ki GROOMERS bhale ek hi PHASE hai but us PHASE ko teen groups me divide kiya gaya hai....

WEAKLINGS....

MEDIANS....

STELLARS....

aap sab soch rahe honge ki ye saari baatein toh aap sabko already pata hai..fir mai same baatein repeat kyun kar rahi hun???

toh wo isiliye kyunki MAHI, ALFREEN aur MABEL ko milne waali liberty inse judi hai...

nahi samjhe... MAHI, ALFREEN, MABEL...aap teeno ki liberty ye hai ki aap teeno ko abhi se hi aapke next PHASE GROOMERS ke sabse dignified group STELLARS me jagah diya jaata hai....

u three are the first official three SAVENTS of STELLARS....


VIOLET WHIZZ ki baat ya fir ye kahun ki unki announcement ko sun sabhi SAVENTS ke mooh shock se khul gaye...

aur MAHI, ALFREEN aur MABEL ki haalat toh pucho hi mat..unhe toh ab bhi apne kaano par vishwas nahi hua tha....

jis group ka hissa banane ka har NEWBORN sapna dekhta hai,kadi mehnat karta hai...

us group me un teeno ko direct entry mil gayi thi aur ye koi choti baat nahi thi....

aankhon me beintihan chamak,honton par muskurahat and pure chehre par garv saaf dikhne lage the in teeno ke...


VIOLET-congrats MAHI, ALFREEN and MABEL....STELLARS....wo group jisse triple R bhi kaha jaata hai...

RICH

ROYAL

RESPECTABLE

us group ke aap teeno advance me hi members ban chuke ho.....

TEENO-thank you WHIZZ..and we promise,we will proove our worth....

VOILET-mujhe pata hai....and SAVENTS,ab aap sabki baari hai to proove ur worth...

mai jaanti hun ki MAHI, ALFREEN aur MABEL ke performance aur abhi abhi unhe mile liberty ke baare me jaankar aap sab aur bhi motivate ho chuke honge..

but abhi yahan aapke saamne ek aur chiz hogi jisse aap sabka motivation aur badh jaayega...

MAHI, ALFREEN, MABEL...saamne aayiye...


VOILET WHIZZ ke aisa kehte hi wo teeno aage aakar khade ho gaye...


VIOLET-SPELLS ki book toh padhte hi honge aap teeno...

TEENO-yes WHIZZ...

VOILET-good...aaj first time,aap teeno unhi me se ek spell ko use me laane waale hain....


VOILET WHIZZ ki baat sun teeno ke chehre khushi se damak uthe..

aakhir isiliye hi toh wo sab yahan the... apni apni MAGIC aur metaphysical abilities ko baahar laane aur aaj finally us ADHYAYA keaaarambh hone waala tha...

sirf MAHI, ALFREEN aur MABEL hi nahi,baaki ke sabhi SAVENTS bhi VIOLET WHIZZ ki baat sun super excited dikhne lage the....


VOILET-taiyar hajn aap teeno???

TEENO-yes WHIZZ...

VOILET-great.kyunki ye aap teeno ka first MAGIC attempt hoga,isiliye aap teeno REQUEST MODE ke under spell uccharit karenge...

ab meri baat dhyan se suniye....aap aaj ANTIMAGNETIC spell ka uccharan karenge...is spell ke baare me toh aapne padha hi hoga..

SPELLS ki book ke first page ke pehle teen spells me se ek hai ye spell....

MAHI-ji WHIZZ,hume pata hai....


ANIDHANA KAROTI

ANTIMAGNETIC....


VIOLET-exactly...ANIDHANA KAROTI....is SPELL se aap apne sharir ko jahan aap khade hain,us jaga ki dharti ke magnetic field se disconnect kar sakte hain...

kyunki ye ek low level ka spell hai aur saath hi filhal aap teeno isse REQUEST MODE ke under bolenge, isiliye aap isse uccharit kar udenge nahi,bas aap teeno ka sharir hawa me uth jaayega....

aapko teeno ko karna ye hai ki aap hawa me uthe hue hain,is ehsaas ko apne apne subconscious brain se jod ANIDHANA KAROTI,is spell ko bol kar uccharit karna hai....

spell ko uccharit karne ke baad turant fir aapko man hi man ANURODHAM kehna hai....

jitna strongly aap teeno ke ehsaas ka aapke dimag se connection hoga,utni jaldi aap hawa me uth jaayenge.....

ek baat aur,ek baar aapke subconscious brain ne aapke spell ke ANURODH ko accept kar liya,uske baad aap teeno apna apna focus apne brain se hata sakte hain....

aap tab bhi hawa me hi rahenge...aur jab bhi aapko wapas niche aana ho,toh bas aap apne brain me waisa karne ka messege bhejoge aur fir aap neeche utarne lagoge...

is that understood...???

TEENO-yes WHIZZ...


ek saath MAHI, ALFREEN aur MABEL ki awaaz nikli jisse sun...

VIOLET-toh chaliye fir,shuru kijiye....


ek baar ek dusre ko dekh aankhon hi aankhon se all the best kehte hue MAHI, ALFREEN aur MABEL ne apni apni aakhen band kar li...

wahin baaki ke SAVENTS bhi is drishya ko dhadakte dil se dekh rahe the...

aur dekhe bhi kyun naa.jo vartaman me hone waala tha,wo un sabka bhi toh bhavishya tha...

aakhen band kar,ek lambi saans khinch aur chhod teeno ne apne apne chitt ko shaant kiya...

hawa me uthne ke ehsaas ko strong karte hue teeno ke mooh se ek saath....


ANIDHANA KAROTI.....


spell uccharit hua jiske turant baad teeno ne man hi man ANURODHAM kaha aur unke aisa karte hi....

sabse pehle MAHI ki body harkat me aayi..uske spell uccharit karne aur man me anurodham kehte hi ek light ray uske subconscious brain ke har nerve me koundhi aur aisa hone ke agle hi pal MAHI ka sharir hawa me uthne laga....

MAHI ki aankhen filhal band thi par jaise hi uske pairon ko neeche zamin ka ehsaas band hone laga toh MAHI samajh gayi ki usne apne zindagi ka first spell successfully operate kar liya hai jisse uske Sundar mukhde par behad hi gourvankik muskaan chaa gayi...

wahin MAHI ke hawa me uthne ke kuch seconds baad hi ALFREEN aur MABEL ke saath bhi same chiz hui...

unhe bhi jab apne hawa me uthne ka ehsaas hua toh unhe bhi MAHI ki hi tarah feeling aai thi...

aur in teeno se thode peeche baaki ke SAVENTS apne apne chehre par aascharya aur khushi ke mishrit bhaav liye is adbhudh drishya ko dekh rahe the...

in sab se alag chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS MAHI, ALFREEN aur MABEL ke is first spell ko successfully operate hota dekh khudke as a SAVENT pehle magic attempt ko yaad karne lage the jiski wajah se wo chaaron bhi muskura rahe the...

jis classroom me is waqt sabhi khade th,uski ucchayi kuch 30 feet thi.... ALFREEN aur MABEL ka sharir hawa me kuch 10 feet tak gaya aur fir wahin rook gaya...

par MAHI ka sharir classroom ke roof ke just neeche jaakar rooka tha...

apne body ke rookne ke ehsaas se MABEL aur ALFREEN ne apni ankhen kholi aur khudko hawa me uthe hue dekha jiski wajah se ek baar fir se wo dono muskura uthe..

fir dono ke nazar ek dusre par gayi...ek dusre ko dekh pehle toh wo muskuraye par bhi thode chownke...

reason...

jab teeno zamin par the tab MAHI un dono ke beech khadi thi but abhi hawa me bas wo dono hi the...

MAHI ko naa dekh dono neeche dekhne lage..unhe laga shayad MAHI ka sharir upar utha hi nahi par neeche toh MAHI thi hi nahi toh unhe dikhti kaise???

neeche dekh wo dono firse shocked hue hi the ki tabhi...


MAHI-upar dekho...


awaaz sunte hi dono ne upar dekha toh roof top me MAHI ko dekh pehle dono chownke par fir muskura diye...

dono hi samajh gaye the ki MAHI ka spell aur uska asar un dono se zyada hua hoga....

wahin MAHI bhi jaisa VIOLET WHIZZ ne kaha tha,apne dimag ko neeche utarne ka messege diya jiske baad uska sharir neeche aane laga....

par jaise hi MAHI ALFREEN aur MABEL ke barabar pahunchi,toh usne wahin rookne ka socha aur uske aisa sochte hi wo rook bhi gayi...

SAVENTS ko toh ye normal laga but chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS MAHI ko aisa karte dekh shocked ho gaye...

reason...

aisa bhi MAHI kar sakti hai,ye VIOLET WHIZZ ne nahi bataya tha....aur isiliye hi wo chaaron samajh gaye the ki MAHI ka apne body par,brain par aur spells par control bohot solid hai...

aur lagatar practice se MAHI unki ummidon se bhi zyada aage nikal jaayegi....

khair,kuch der tak hawa me hi ek dusre ko badhayi dekar wo teeno neeche aane lage aur kuch hi palon me wo teeno zamin par the...

teeno ke zamin par aate hi pura class taliyon se gunj utha...ye taaliyan sabhi SAVENTS baja rahe the...

taaliyon ki awaaz sun jab MAHI, ALFREEN aur MABEL ne palat kar dekha toh apne PHASEMATES ke gestures ko dekh unhe bohot khushi hui..

par apni nazarein ghumate hue jab MAHI aur ALFREEN ki nazar mujhpar gayi toh unki smile ek second ke liye gaayab hui...

reason...

jahan baaki sab taali baja rahe the,wahin un taaliyon ki awaaz se bachne ke liye maine apne dono kaano par haath rakha hua tha...

khair, meri harkat ko nazarandaaz kar...


TEENO-thank you guyzzz...means a lot.....

OPHILIA-very good SAVENTS...we are really proud of you...

toh guyzzz.. MAHI, ALFREEN aur MABEL ke first magic experience ko live dekh aapka motivation aur high hua???

SAVENTS-YES WHIZZ....

OPHILIA-toh der kis baat ki...shuru ho jaao...and give ur very best...

MAHI/ALFREEN/MABEL-all the best guyzzz....


OPHILIA WHIZZ ke kehte hi sabhi SAVENTS neeche baith gaye aur apni apni aakhne band kar li...

wahin MAHI, ALFREEN aur MABEL ek side hokar khade ho gaye...

sabhi SAVENTS aaj pure josh ke saath apne apne CEREBRATION process ko pause kar apni manzil ki taraf badh gaye...

aaj chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS ke saath MAHI, ALFREEN aur MABEL bhi un sabko dekh rahin thi...

aur jaisa WHIZZES aur WHIZZDERS ke saath first day hua tha,waise hi aaj MAHI aur ALFREEN ke saath hua....

nazar ghumate ghumate unki nazar mujhpar padi toh un dono ne bhi mere band aankhon ke andar ki putliyon ko hilta hua mehsoos kiya jisse dekh unhe shock laga...

unhe bhi samajh aa gaya tha ki maine apni CEREBRATION process pause nahi ki hai...

wo yunhi hairani se meri taraf dekhne lage wahin baaki saare SAVENTS aaj ussi daur se guzar rahe the jisse kal MAHI, ALFREEN aur MABEL guzre the...

aaj sabhi ka nischay kaafi dridh tha jiski wajah se apne dimag me lagne waale har jhatke ko sabhi badi bahaduri se jhel rahe the...

aur yunhi lagatar focus ke saath lage rehne ki wajah se......

kuch hi der me pura class ek behad tez roshni se naha gaya..kuch der tak aisa hota raha but fir jaisa kal hua tha,wo saari roshni sabhi SAVENTS ke dimag me samane lagi aur dekhte hi dekhte sabhi SAVENTS ka subconscious brain stimulate aur active ho gaya....

aisa hote hi sabhi SAVENTS ki aakhen khul gayi aur ab toh sabki haalat pucho hi mat...

itne zyade excited dikh rahe the sab ki agar WHIZZES aur WHIZZDERS saamne nahi hote toh sabhi yahin naachne lag jaane the....

ab wo toh ho nahi sakta tha but MAHI, ALFREEN aur MABEL ki tarah wo sab bhi magic karna chahte the aur shayad is khayal ko chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS ne bhi padh liya tha isiliye...


OMMIN-well done SAVENTS...aaj aap sab apne pehle task me successful ho gaye hain....

and for that,we are really proud of you.. .

NOX-aur hume maalum hai ki aap sab filhal kya chahte hain.... aap sab bhi apna first magic attempt karna chahte hain,right!!!

SAVENTS-YES WHIZZDER....

NOX-but filhal aap ye nahi kar sakte....abhi abhi aap sabke dimag ne bohot zyada urja ko sokha hai...

aise me uspar aur pressure daalna galat hoga..yahi wajah thi ki kal in teeno ke successfully brain stimulate karne ke baad bhi kal nahi balki aaj inhe magic karne ko kaha gaya....

khair,ek baar firse congrats for ur achievement..aap sabka first magic attempt aur next class kal hoga....

aaj ke liye class dismissed....


ye bol chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS class se nikal gaye...

but jahan apne apne metaphysical abilities ko activate karne ki wajah se sabhi SAVENTS khush the wahin chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS thode tention me....

reason....

RAAZ....ab tak toh saare SAVENTS equal the but ab jab RAAZ ko chhod baaki sabki metaphysical abilities jaag chuki thi,aise me RAAZ hi bas ek aisa tha jo in sabhi KHAAS ke beech AAM tha....

aur un chaaron ko ye bhi pata tha ki aage chalkar bhi mujhme kuch fark aane se raha aur yahi wajah thi jiski wajah se wo chaaron tention me the....

is RAAZ ka aakhir hoga kya,ye bhi unke liye ek RAAZ tha.....




PLACE-BESIDE FORBIDDEN FOREST....



SAB THEEK HAI NAA....!!!!??

HUM YAHAN KYUN HAIN????


ye sawal pucha tha SHAILA aur AKSHAANT ne MOKALSAR se jo undono se pehle hi yahan, FORBIDDEN FOREST ke paas aakar khada tha...

aur yahan pahunch SHAILA aur AKSHAANT ke minds se jud usne unhe bulaya tha....


FORBIDDEN FOREST....

jiske theek saamne ye teeno is waqt khade hain....dekhne se ye ek saamanya ghana sa jungle dikhta hai....

bade bade daityakar vrikhshon ke suraksha me bana ye ghana jungle jiske andar din me bhi andhera hi dikhta hai...

aur najaane kitne hi rahasya,kitne RAAZ chupaye hue hai ye apne us andhere me..

aur us RAAZ ki shuruat yahin is jungle ke border se hi hoti hai...

kyunki is jungle ko bas dekha jaa sakta hai,iske andar ghusa nahi jaa sakta....

ek abedhya shield, impenetrable barrier bicha hai is jungle ke charon taraf jisse aaj tak koi kaat nahi paaya....

par is jungle me chuppe bohot se rahasya yahan is planet me rehne waala har vyakti jaanta hai...

kaise???ye next update me pata chalega...

filhal MOKALSAR dwara yahan bulaye jaane par yahan pahunchte hi SHAILA aur AKSHAANT dono ne hairani vash MOKALSAR ke saamne apna apna prashn rakha jispar....


MOKALSAR-kal tumse kaha tha naa maine ki RAAZ se juda kuch aur bhi hai jo behad pechida hai par uske baare me mai kal bataunga...

bas ussi ussi liye tum dono ko maine yahan bulaya hai....


darasal jab kal MOKALSAR ne in dono ke saamne is naye sach ka khulasa kiya tha ki RAAZ ke sharir me blood nahi hai toh uske baad fir RAAZ se judi ek nayi baat pata hone ka andesha jataya tha par ek baar fir kal batane ka kehkar taal diya tha.....


SHAILA-toh us baat ko batane ke liye yahan aane ki kya zaroorat hai...???

hum teeno me se kisi ke bhi abode me bhi toh baat ho sakti thi fir tumne specifically issi jagah ko kyun chuna???

AKSHAANT-ek aur sawal bhi hai..ye tum RAAZ ke baare me yun tukdo tukdo me kyun bata rahe ho...???

saari baatein ek baar me bhi toh batayi jaa sakti hai???

MOKALSAR-bata sakta toh kya nahi bata diya hota!!!!

darasal pehle din jab maine RAAZ ke subconscious brain ke absence ki baat batayi thi,us din tak mujhe bas utna hi pata tha...

blood ki absense ki baat par mujhe us din sandeh tha...

sandeh isiliye hua tha kyunki RAAZ ke conscious brain se WHIZZES aur WHIZZDERS ki sense nikalte waqt maine subconscious brain ke absence ke saath saath conscious brain ke nerves me rakht sanchaar nahi dekha tha..

par mai sure nahi tha aur isiliye hi baad me maine dhyan me jaa DRISHTI VARDHANAM(ELABORATE THE VIEW) ke zariye apne sandeh ki pushti ki thi...

par jab kal mai tum logon ko RAAZ ke blood absence ke baare me bata raha tha tab mere dimag me ek naya vichar aaya...

aur wo vichar ek naye khulase ki taraf mujhe sanket dene laga aur isiliye hi maine aaj kuch nayi baat tum dono ke saamne rakhne ki baat kahi...

SHAILA-oh...par mera sawal toh ab bhi wahin hai..hum yahan kyun aaye hain???

MOKALSAR-mere ussi vichar ki satyata ko jaanane....

SHAILA/AKSHAANT-matlab???

MOKALSAR-matlab ye ki jo vichar mere man me aaya hai,usse mai bata nahi sakta,dikha sakta hun...

AKSHAANT-spasht shabdon me kaho MOKALSAR....

MOKALSAR-un chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS ke senses ko RAAZ ke dimag ke ussi kone ne sokha tha,jahan subconscious brain hota hai...

DONO-kya???par tumne toh kaha tha ki RAAZ ke paas subconscious brain hai hi nahi..fir ye kaise sambhav hai???

MOKALSAR-yahi toh wo vichar hai jisne mujhe ek naye khulase ka sanket diya tha...

RAAZ ke dimag ka ehem hissa gayab hai kintu ye wahi jagah hai jahan un chaaron ke senses atke hue the....

aur jab maine un senses ko RAAZ ke dimag se khinchne ke liye spell bola tha,toh mere spell ki urja RAAZ ke conscious brain tak hi pahunchi thi..

kintu wahan pahunchne par bhi ek pal ke liye mujhe wo senses feel nahi hue kintu fir mujhe aisa laga maano wo senses kahin se push hote hue meri urja ke daayre me pahunche the...

un senses ko lekar aate waqt maine kewal ek pal ke liye RAAZ ke subconscious brain me jhaanka tha jahan mujhe khaalipan dikha aur....

SHAILA-aur......

MOKALSAR-maine ek khinchaav mehsoos kiya tha...par kyunki us waqt mere rays completely RAAZ ke conscious brain ke beech me the,isiliye wo khinchaav bohot kam tha....

un chaaron ke senses wapas nikal chuka tha isiliye maine zyada dhyan nahi diya....

par baad me jab RAAZ se judi saari aascharyajajak chizon ke baare me mai soch raha tha,tab mera dhyan us kheenchav par gaya....

conscious brain aur subconscious brain ke beech ek shield hota hai...ek aisa sheild jo sirf ek SAVENT hi tod sakta hai aur wo bhi isiliye kyunki uske dimag ki rachna thodi alag hoti hai....

kintu jab tak brain stimulation ka process complete nahi ho jaata,tab tak wo shield ek SAVENT me bhi ek normal insaan jitni strong rehti hai...

par RAAZ ke maamle me toh aisa kuch bhi nahi hai..

pehla toh uske paas subconscious brain hi nahi hai...

dusra wo natural shield bhi gayab hai....

teesra..uske dimag ka wo hissa jahan brain hi gayab hai,wo jagah chumbakiya hai..

aur kisi manushya ke dimag ke bhaag ka chumbakiya hona kalpana se bhi zyada pechida aur khatarnaak hai...

kal raat mai issi baare me soch raha tha...fir mere man me is nayi gutthi ko suljhane ki ek yukti aayi aur isiliye hi hum yahan aaye hain....

AKSHAANT-yukti!!!kaisi yukti???

MOKALSAR-


AZWASANA MASTISHKE SHAKTIYEM

REVIVE THE POWER OF BRAIN....


MOKALSAR ne jis SPELL ko bola tha,usse sun SHAILA aur AKSHAANT shocked ho gaye....

reason....

jis spell ko MOKALSAR ne just bola tha aur jisse wo use me laana chahta tha wo last level magic ke spells me se ek tha jo ki ATTACH MODE me hi use kiya jaa sakta hai...

is spell se kisi bhi pal ko uske pure asar ke saath dobara create kiya jaa sakta hai....

aur MOKALSAR abhi wahi pal jisme wo apni urja ke through RAAZ ke dimag me ghusse the,usse recreate karna chahte the....

aur saath hi SHAILA aur AKSHAANT ko ye bhi pata chal gaya ki wo yahan FORBIDDEN FOREST me kyun aaye hain....???

ye spell bohot hi zyada urja sokhta hai jiski wajah se aas paas ka pura ilaka is spell ke chapet me aa sakta hai aur uske upar kyunki isse ATTACH MODE ke through kaam me laaya jaata hai isiliye iski intensity 10 guna aur badh jaati hai....

aise me khudke banaye kitne bhi powerful shield me itni taakat nahi hogi jo is spell ke asar ko jhel paaye...

sirf FORBIDDEN FOREST ki boundries hi aisi jagah hai jiske shields MOKALSAR ke bole jaane waale spell ki urja ko rok sakenge....


AKSHAANT-kya ye zaroori hai MOKALSAR.....???mera matlab hai jo tum karne waale ho,wo bohot khatarnaak ho sakta hai....

MOKALSAR-pata hai..par is pechida masle ki hadh ko jaanana bhi toh zaroori hai....

tum fikr mat karo,kuch nahi hoga....


MOKALSAR ne keh toh diya tha par man hi man unhe bhi lag raha tha ki jis drishya ko unhone dekha tha,usse dobara dekhna ya fir ye kahen ki us drishya us drishya ko dobara jeena unke liye galat saabit ho sakta hai....

aur aisa hi kuch andesha SHAILA ko bhi tha...jo ho raha hai,agar in sabke piche koi aur hota,wo dimag jiski roop rekha aur shakti ko MOKALSAR dekhna chahte the,wo kisi aur ka hota toh SHAILA bilkul fikr nahi karti par in sabke piche aur koi nahi RAAZ tha.....

wo ladka jo sirf naam se hi nahi balki kaam se bhi RAAZ hai..ek bohot gehra RAAZ aur isiliye...


SHAILA-tum akele ye nahi karoge MOKALSAR....isme mai tumhara saath dungi....

AKSHAANT-aur mai bhi...

SHAILA-nahi AKSHAANT,tum nahi....MOKALSAR ke spell aur usme mere judaaw se hone waala prabhav ki disha saamne FORBIDDEN FOREST ki taraf hogi kintu agar hum teeno ki urja saath jud gayi toh fir prabhav chaaron disha me fail jaayega jo uchit nahi...

isiliye MOKALSAR,tum apne spell se apni urja ko jodo aur mai tumhari urja se apni urja jodungi...

MOKALSAR-kintu iski zaroorat nahi hai SHAILA....mai sab dekh lunga..tum....

SHAILA-vyarth me samay mat gavaon MOKALSAR...shuru karo.....


MOKALSAR ki baat kaatethe hue SHAILA ne apni baat kahi jiske baad MOKALAR ne kuch nahi kaha kyunki wo jaanta tha ki SHAILA bohot ziddi hai...wo uski ek bhi nahi sunegi aur isiliye.....


AZWASANA MASTISHKE SHAKTIYEM


aankhen band kar apne dono haath ke fingers ko apne brain ke dono taraf rakh MOKALSAR ne spell uccharit kiya jiske agle hi pal....

unke subconscious brain me chuppe RAAZ,chaaron WHIZZES,WHIZZDERS aur unke beech hui ghatna ussi shakti ke saath amplify karte hue trigger hui....

thik ussi waqt


SHAILA-

SAMBANDHANTI SHATIYEM KAROTI....

ATTACH MY POWER....


SHAILA ne khudke ATTACH MODE ko activate karte hue is spell ko bola aur unke aisa karte hi unki shakti ka ek hissa jo ki ek adrishya rassi ki tarah tha, MOKALSAR me sama gaya.....

ab tak MOKALSAR ke bole spell ne apne kaam ko anjaam de diya tha jiski wajah se MOKALSAR ke mastishk me is waqt RAAZ ka conscious brain dikhne laga tha aur jude hue hone ki wajah se SHAILA jinki aankhen is waqt band thi,unhe bhi wo drishya saaf dikh raha tha....

RAAZ ke subconscious brain se hote hue MOKALSAR ki divya drishti subconscious brain waali jagah ke liye aage badhi...

is waqt MOKALSAR aur unse judi SHAILA tez chamakte hue nerves ke bane raaste par jaa rahe the...

un dono ne hi aisa conscious brain pehle kabhi nahi dekha tha jiski wajah se dono hi hairan the..

par is beech un dono ko ek aur chiz dikh rahi thi jiski wajah se unki hairani aur badh rahi thi....

ab in dono ne aisa kya dekh liya tha,iske baare me baad me pata chalega....

khair, jaise jaise ye safar aage badhta gaya waise waise MOKALSAR ko ek kheechav mehsoos hone laga....

kheenchav toh SHAILA ne bhi mehsoos kiya tha kintu kyunki wo directly nahi,balki indirectly MOKALSAR ke through yahan thi,isiliye uske liye wo kheenchav maamuli tha...

par us kheenchav ke baawjud MOKALSAR aage badhte chale gaye... beetathe seconds ke saath wo kheenchav badhta chala gaya...

but rookne ya fir lout jaane ke ulat MOKALSAR ki speed subconscious brain ki taraf aur tez ho gayi...

ab safar par nikle hain toh der saver manzil toh mil hi jaayegi....

aur wahi yahan hua..roshni se bhare conscious brain ke beech tez gati se aage badhte hue MOKALSAR achanak....


SHAILA-arre,ye kya hua???wo saari roshni kahan gayi????

aur ye khinchaav kaisa???


SHAILA jo apni Shakti urja ke dwara MOKALSAR ke saath bani hui RAAZ ke conscious brain se hoti hui aage badh rahi thi,achanak hi unke saamne ka sara nazara badal gaya tha....

darasal ab tak jahan har taraf prakash tha,wahin ab chaaron taraf ghana andhera tha....

aur us andhere me ek ajeeb sa kheenchav tha jisse SHAILA ne apni shakti ray ke dwara mehsoos kiya tha...

wo abhi is baare ne soch hi rahi thi ki....


MOKALSAR-S...H.....A....I....L....A.....

apni puri taakat bator MOKALSAR ne SHAILA ko pukara tha jisse sun chownkte hue SHAILA us awaaz ki taraf mudi aur mudte hi jo dekha,usse unka shock kayi guna tak badh gaya....

reason...

us ghane andhere se bhari jagah me SHAILA ki energy ray ke dusre sire jahan MOKALSAR khade the,us jagah par tez vibrations ho rahi thi...

aur ye vibrations MOKALSAR jhel rahe the jisse dekh SHAILA ko saara maazra samajh me aa gaya aur....


SHAILA-kya hum RAAZ ke subconscious brain me hain???

MOKALSAR-haan SHAILA...aur tumhara sandeh sahi tha....hume yahan nahi aana chahiye tha....

mujhe yahan apni puri shakti kheenchti hui si mehsoos ho rahi hai....

aisa lag raha hai maano koi meri saari shaktiyon ko sokh raha hai....

bas isiliye kyunki tumne khudko mujhse joda hua hai,mai kisi tarah sambhle hue hun....

par agar hum aur kuch der yahan rooke,toh mera anth nishchit hai...

apni puri jaan lagate hue MOKALSAR ne apni baat kahi jisse sun SHAILA ghabra gayi...

khinchaav toh usse bhi mehsoos ho raha tha par kyunki uskei shakti ka sirf ek Chota sa hissa hi yahan is jagah aaya tha isiliye wo khinchaav jaan lewa nahi tha par SHAILA MOKALSAR ki haalat bohot ache se samajh rahi thi aur isiliye usne MOKALSAR ko is subconscious brain ke bhul bhulaiya se kheenchna shuru kiya par tabhi....


AWAAZ-APNI MARZI SE BHALE HI TUM DONO YAHAN AAYE HO PAR YUNHI YAHAN SE JAA NAHI SAKTE....

ek awaaz us jagah par gunj uthi jisse sun SHAILA aur MOKALSAR dono hi chownk gaye...


MOKALSAR-kaun hai????saamne aakar baat karo...

AWAAZ-MAI US HAWA KI TARAH HUN JISKA KOI ROOP NAHI...

MOKALSAR-kintu tum ho kaun???

AWAAZ-MAI IS JAGAH KA (RAAZ SUBCONSCIOUS BRAIN) EK CHOTA SA BINDU HUN....

MOKALSAR-mai samjha nahi...

AWAAZ-TUMHE SAMAJHNE KI AWAASHYAKTA BHI NAHI HAI...

MUJHE MAALUM HAI KI TUM YAHAN KYUN AAYE HO..

PAR MUKHYA SAWAL YE HAI KI KYA YAHAN AANE SE PEHLE TUMNE IJAAZAT LI THI....

MOKALSAR-nahi....

AWAAZ-TUMNE APRADH KIYA HAI JISKA TUMHE DAND MILEGA...

MOKALSAR-tum jo koi bhi ho,kya tumhe gyat bhi hai ki tum kisse baat kar rahe ho???

AWAAZ-KYA TUMHE GYAT HAI KI TUM KISKE MASTISHK ME BINA IJAZAT GHUSSE HO....

TUMHARA DAND TOH NISHCHIT HAI...PAR USSE PEHLE,KYUNKI ITNI MEHNAT KAR TUM AUR TUMHARI SAATHI YAHAN PAHUNCHE HO,ISILIYE TUM DONO KI KHWAHISH ZAROOR PURI HOGI....

JIS JIGYASA KE TAHAT TUM DONO YAHAN AAYE HO,CHALO,MAI TUMHARI US JIGYASA KO SHAANT KARTA HUN...

us AWAAZ ke aisa bolte hi MOKALSAR ki shakti kunj me ek aur shakti kunj ghus gayi...

ye shaki kunj aur kuch nahi balki ussi subconscious brain ki bindu,us AWAAZ ka drishti sandesh tha
jisse dekh.....

MOKALSAR ko apni puri zindagi ka sabse bada jhatka laga... usne apne wildest dream me bhi nahi socha tha ki RAAZ ke subconscious brain me usse kuch aisa dekhne ko milega....

haalat sirf MOKALSAR ki hi kharab nahi thi..balki usse judi hone ki wajah se SHAILA ko bhi RAAZ ke subconscious brain me chuppa RAAZ dikhne laga jisse dekh uski asal body jo ki ELYSIAN me FORBIDDEN FOREST ke paas khadi hui thi,wo bhi kaampne lagi...

uske aur MOKALSAR ke band aankhon se bhi aansu ki dhaara si niklane lagi jisse dekh unke saath khada AKSHAANT hairan pareshan hone laga tha...

wahin drishti sandesh dene ke baad....


AWAAZ-ASHA KARTA HUN KI TUM DONO KO APNE SAWAL KA JAWAB MIL GAYA HOGA....

AUR AB TUMHARE DAND KA SAMAY HO GAYA HAI....

BOOMMMM..............BOOMMMM...............

us pure area me ek tez dhamaka hua...ye dhamak sirf RAAZ ke us clone dimag me hi nahi balki asliyat me hua tha jiski wajah se MOKALSAR, SHAILA aur yahan tak ki AKSHAANT bhi kaafi door udte hue gire the..

ye dhamaka aur uski shakti itni strong thi ki jab uska affect FORBIDDEN FOREST ke shield se takraya toh ek aur dhamaka hua jiski wajah se wo abhedya shield bhi ek baar ke liye puri tarah hil gaya tha...

wahin kyunki AKSHAANT ko sirf ye baahri dhamake ne hi chhua tha, isiliye kuch der tak zamin me lete lete lambi saans lete hue wo pada raha..

uske sharir ke kaafi jagahon par us dhamake ki wajah se cuts ban gaye the,but uske sharir me behte healing power ki wajah wo cuts kuch hi der me bhar gaye...

ghaav bharte hi AKSHAANT utha aur bhaagte hue pehle SHAILA ke paas gaya...

healing power ke active hone ki wajah se SHAILA ke chot bhi bhar gaye the but fir bhi wo ab tak behosh thi....



VYAVAHARATI KAROTI



REGAIN CONSCIOUSNESS



AKSHAANT ne SHAILA ke sir ko apne godh me rakh is spell ko bola jiske baad AKSHAANT ke haathon se ek choti consciousness ki ray nikal SHAILA ke sir me sama gayi...

isse SHAILA ke sharir me harkat zaroor hui par wo hosh me nahi aayi....

tab AKSHAANT ne apne ATTACH MODE ko active kar firse same spell bola jiske baad ek behad strong conscious ray SHAILA ke dimag me ghus gaya....

uske baad bhi kuch der tak SHAILA yunhi behosh padi rahi but fir....

achanak se uski aankh khuli jiske agle hi second wo uth kar baith gayi...

SHAILA hosh me toh aa chuki thi but uski haalat dekh AKSHAANT ko jhatka laga...

reason...

hosh me aate hi SHAILA ko wo drishti yaad aayi jo usne MOKALSAR ke through dekha tha jiski wajah se uska pura sharir kaamp raha tha...


AKSHAANT-kya hua SHAILA???tum itni dari hui kyun ho???


AKSHAANT ke sawaal ke baad bhi SHAILA bina kuch kahe yunhi kaampti rahi...

AKSHAANT ne ek do baar aur SHAILA se pucha par jab tab bhi SHAILA yunhi bani rahi toh AKSHAANT ne usse filhal ke liye chhoda aur MOKALSAR ki taraf badh chala...

MOKALSAR ke sir ko apni godh me rakh AKSHAANT ne same spell repeat kiya but koi faayfa nahi hua..

ye sab dekh AKSHAANT ko hairani hui aur usne ek ke baad ek kayi strong spells bole wo bhi attach mode se jud kar par har spell ke saath AKSHAANT ki hairani badhti hi gayi kyunki MOKALSAR par kuch bhi asar nahi kar raha tha...

wahin tezi se kaampte hue SHAILA ye drishya dekh rahi thi aur wo jaanti thi ki MOKALSAR filhal hosh me nahi aane waale....

kyunki yahi mritya rupi behoshi unka wo dand tha jo us AWAAZ se unhe diya tha... MOKALSAR ek lambi neend me jaa chuke the....

wo jaanti thi ki same haalat uski bhi hui hoti agar wo MOKALSAR se naa jud direct unhiki tarah RAAZ ke cloning brain me ghusi hoti....

par hosh me aakar bhi usse koi khaas khushi nahi hui thi..jo usne dekha tha usse dekhne se acha toh ye hota ki wo mar jaati....

wahin kuch aur der tak MOKALSAR ko hosh me laane ka try karte rehne ke baad bhi jab AKSHAANT ko safalta nahi mili toh nirash ho wo wapas SHAILA ke paas pahunche jo ab bhi tharthara rahi thi...

kuch pal tak SHAILA ko uski is haalat me dekhte rehne ke vaad AKSHAANT ne uske dono kandho se usse pakad....


AKSHAANT-KYA HUA THA SHAILA???AUR MOKALSAR HOSH ME KYUN NAHI AA RAHA HAI????


SHAILA ko jhanjhodte hue AKSHAANT ne apna sawal pucha jiske baad...


SHAILA-MOKALSAR abhi hosh me nahi aayenge...

AKSHAANT-par kyun???

SHAILA-is kyun aur ek dusre kyun ka jawab ya toh LORD OF ANGEL denge yaa fir CREATURE OF JUDGEMENT....

SHAILA ke mooh se LORD OF ANGEL aur CREATURE OF JUDGEMENT ka naam sun AKSHAANT samajh gaye ki jo bhi baat hai,ye unke level se bohot upar ki hai....


AKSHAANT-par ye toh batao ki aakhir tum dono ne RAAZ ke subconscious brain me dekha kya tha????


AKSHAANT ke sawal par SHAILA ne uski taraf dekha aur....

SHAILA-tum sun nahi paaoge AKSHAANT...

AKSHAANT-iska faisla mujhe karne do..tum bas mujhe batao ki tum dono ne wahan dekha kya???kya hai aakhir RAAZ ke subconscious brain me???

SHAILA- VINAASH......SAMUH VINAASH...........PURE BRAMHAAND KA VINAASH.....






AAJ KE LIYE ITNA HI.....




AAPKA APNA V....J......(5816 words)
 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF SABHI SAVENTS APNE APNE BRAIN KO AMPLIFY KARNE ME KAAMIYAB HO JAATE HAIN WAHIN DUSRI TARAF RAAZ KE DIMAG ME GHUSNE KE DAND SWARUP MOKALSAR BEHOSH HO JAATE HAIN...


AB AAGE:-



CHAPTER-1


(UNFOLD THE RAAZ)



UPDATE-24




PLANET-ELYSIAN



PLACE-SOVEREIGN OFFICE




KYA BAAT HAI??? APNI CLASS SE PEHLE AAP SAB AAJ YAHAN????


subah ka waqt hai... SHAILA apne office me baith gehri soch me khoyi hui thi ki tabhi office me first PHASE ke chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS daakhil hue jinhe dekh usne apni baat kahi....


OPHILIA- SOVEREIGN aapko toh pata hi hai ki kal NEWBORNS ne apne apne brain ko amplify kar liya hai....

SHAILA-haan,toh!!!

OPHILIA-sabhi SAVENTS ne apne apne metaphisycal ability ko access kar liya hai siway RAAZ ke....


RAAZ ka naam sun SHAILA ka man vichlit ho utha....sthir bhuddi ki visheshagya SHAILA ka dimag sirf ek naam sun puri tarah se vichliti ho gaya tha...

saath hi usse RAAZ par behad ghussa bhi aa raha tha....

reason.....

aakhir jo kuch bhi ho raha tha,uska kendra bindu RAAZ hi toh tha....

ye RAAZ hi tha jiski wajah se unka ghanisht mitr ek lambi neend aur behoshi ko chapet me jaa chuka tha...

aur sabse mahatvpurn baat, RAAZ ke khaali mastishk ke bhaag me chhupa wo bindu,jisne unhe RAAZ ke through pure bramhaand ka vinash dikhaya tha....

OPHILIA ke RAAZ kehte hi ye saare vichar ek ke baad ek SHAILA ke dimag me uthne lage the....

wahin apni baat kehne ke baad bhi jab OPHILIA aur baaki teeno ne SHAILA ko kisi gehri soch me dube dekha toh....


OPHILIA- SOVEREIGN.....are you alright...????


OPHILIA ki awaaz sun SHAILA apni soch se baahar aayi aur....


SHAILA- RAAZ se pucho ki kya wo baakiyon ki hi tarah apne is safar ke pehle charan,brain amplification ko trigger karne ki koshish karega yaa nahi....

agar wo agree karta jai toh thik hai,warna usse apni class se nikal do.....


SHAILA ki baat dun chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS shocked ho gaye...

aaj tak aisa kabhi bhi nahi hua tha ki kisi SAVENT ko class se nikala gaya ho par wo sab ye bhi jaante the ki is saal se pehle unki INSTITUTION me RAAZ jaisa SAVENT bhi toh nahi aaya tha....

OPHILIA SHAILA ke decision ko sun kuch kehna chah hi rahi thi ki....


SHAILA-aapki class ka waqt ho gaya hai...aap sabko jaana chahiye...


SHAILA ki baat sun OPHILIA WHIZZ ko ya fir baaki teeno ko aur kuch kehne ki himmat hi nahi hui aur isiliye un chaaron ne ek ek baar apna sir SHAILA ke aage halka sa bow kiya aur palat gaye par tabhi....


GOOD MORNING SOVEREIGN....

GOOD MORNING.....


un chaaron ke palaththe hi unhe apne saamne AKSHAANT dikhe jo ki unke aane ke baad se hi unke piche aakar khade ho chuke the aur saath hi wahan hui saari baatein bhi sun li thi aur isiliye.....


AKSHAANT- kisi bhi SAVENT ko is INSTITUTION me rehne ka hakh hai par wo class me rahega us nahi,ye uski khud ki mehnat tay karti hai....

filhal RAAZ is mehnat shabd se koson door hai...aur uska ye ATTITUDE baaki SAVENTS ke liye bhi negetive saabit ho sakta hai...

aise me uska class se nikal jaana hi uchit hoga....

par haan,CHOSENS me har batch ke NEWBORNS ke liye jo pratha chali aa rahi hai, RAAZ bhi uska hissa hai....

isiliye class ne agar usse nikaalna pade,toh nikaalne se pehle usse us pratha ka hissa bana lijiyega....


AKSHAANT ki kahi saari baat sat pratishat sach thi jo un chaaron ko samajh me aa chuki thi aur isiliye ek baar AKSHAANT ke saamne me sir halka jhukakar chaaron baahar ki taraf nikal gaye....

wahin unke jaate hi AKSHAANT SHAILA ki taraf badhe jo ab bhi apne sochon me goom thi....

SHAILA,,tum ya fir mai,jitna chahen bhale hi kyun naa soch len,kintu us soch se koi faayda hoga nahi....


AKSHAANT ki baat sun SHAILA ka dhyan toota aur bebeas bhari nazaron se wo AKSHAANT ko dekhne lagi...


SHAILA-mujhe kuch bhi samajh nahi aa raha hai AKSHAANT ki aakhir ye sab ho kya raha hai....

acchayi ki sena ke pramukh sipahiyon se hain hum teeno...

par aaj pehli baar acchayi ko burayi se haarte hue dekh rahi hun mai...

kya isiliye humne apne astitva ka,GOD se mile vardaan ka tyaag kiya tha taaki hume ye din dekhna pade????

hum sab ki upastithi,hamari pehchaan toh GOD ke tej ki parchayi ke shakti ke hazarwe bhaag jitni bhi nahi hogi,kintu wo RAAZ.....

uski rachna swayam GOD ke dono putr LORD OF ANGEL aur CREATURE OF JUDGEMENT ne ki hai,wo RAAZ is bramhaand ka rakhshak nahi apitu GOD ke banaye is universe ka VINASH hai....

aur uski vidhwansha ki ek jhalak bhi kal humne dekh li...

uske mastishk roopi shakti se bane dimag ka wo bhaag jo sampurn taha khaali hai,us kaali andheri jagah par ek anjaan chumbakiya shakti ne ghar kiya hua hai...

ek aisi chumbakiya shakti jiske shakti ke ek chote se ansh ne hamara ek sathi, hamare mitr jo achayi ka ek chota se hi sahi kintu pratik hai,usse mrityu jaisi neend me sula diya hai...

aur hum,hum kuch nahi kar kar sakte....


AKSHAANT-kintu kyun nahi kar sakte???kal se mere man me yahi sawal gunj raha hai ki MOKALSAR ko aisi kaun si behoshi ne ghera hai jiski wajah se tum himmat tak haar gayi ho...

aisa kya hua hai mere bhai jaise mitr ke saath ki wo jeevit toh hai kintu uske jeeven kan mehsoos nahi ho paa rahe hain....

kal tumari mansik haalat thik nahi thi isiliye maine tumse koi sawal nahi kiya tha,kintu ab mai aur pratiksha nahi kar sakta...

mujhe batao SHAILA ki aisa kaun sa vyavadhan hai hamare saamne jiski wajah se kabhi naa haar maanane waali meri SHAILA haar maane baithi hai...

kyun tumhe lagta hai ki hum apne mitr ko thik nahi kar sakte..usse uski chetna nahi louta sakte....


AKSHAANT ke in anginat sawalon ko sun ek feeki hasi apne chehre par laa SHAILA ne apne haar maanane ka kaaran batana shuru kiya....


LAGNAGRAH VPAPADESHA......


MOKALSAR ka mastishk abhi is haalat me phasa hai....


SHAILA ki baat sun AKSHAANT ko tagda jhatka laga....

aur saath hi usse pata chal gaya ki kyun SHAILA himmat hari baithi hai...


AKSHAANT-kya RAAZ ke mastishk me ubhre us bindu ne spell bola tha???

SHAILA-nahi...usne kuch nahi kaha..bas us bindu ke beech se ek tej nikal MOKALSAR ke mastishk me samaya jiske baad wo is haalat me pahunch gaye...


SHAILA ke is baat se AKSHAANT ko ye bhi andaza hone laga tha ki jo bina spell bole saamne waale ko itni dayaniya condition me laa sakta hai,wo agar ugr ho jaaye toh kya hoga????


AKSHAANT-jis condition me MOKALSAR hain,ussi condition me yahan ke do SAVENTS ke mata pitah bhi hai naa!!!

SHAILA- ACCHUTA aur SLUNDER...haan....unhi ki tarah MOKALSAR ka mastishk bhi PERSISTENT VEGITATIVE STATE ki chapet me chala gaya hai....

bas fark sirf itna hai ki un dono ke maata pitah ke maamle me NIRWAHALIKA spell ka prayog kiya gaya tha kintu MOKALSAR ke maamle me ek khaali mastishk ne apni kaali urja ki shakti ko prayog me laaya hai...

AKSHAANT-aur isiliye hi MOKALSAR us state me pahunche hain..kyunki NIRWAHALIKA spell me bhi itni taakat nahi jo MOKALSAR par asar kar paaye....

SHAILA-haan..kintu sabse mahatvapurn baat yeh hai ki urja se ho yaa fir spell se,is condition ka upchaar bas ek hi hai...

CHETNA BUTI....jo ki FORBIDDEN FOREST me hain jiske bheetar ghussa nahi jaa sakta....

AKSHAANT-tumne kal sahi kaha tha.. hamare har kyun aur ab kaise ka jawab sirf un dono se hi mil sakta hai...


LORD OF ANGEL.....


CREATURE OF JUDGEMENT......




PLACE-CHOSENS


CLASS-BRAIN AMPLIFICATION.....




TOH APNE FIRST MAGIC KA EXPERIENCE KAISA RAHA????

SAVENTS-amazing WHIZZ.....


SAVENTS ke chehre ki khushi aaj dekhte hi banti thi...

aur khushi ka reason bhi jaayaz tha....

abhi abhi sabhi SAVENTS ne apna first MAGIC jo kiya tha...

wahi,khudko hawa me uthane ka jisme sabhi successfully kamiyab hue the...


OPHILIA-jaisa ki aap sab dekh rahe hain ki aaj aapke baaki se teeno WHIZZ aur WHIZZDERS mere saath nahi aaye hain...

iska reason ye hai ki kyunki aap sabne apne apne brain ko metaphysical activities ke liye stimulate kar liya hai isiliye aaj se aapki chaaron classes lagegi...

BRAIN AMPLIFICATION ki ye class aapki har din 1st class rahegi...

second class aapki BODY AMPLIFICATION ki hogi...third class me aap sab BLOOD AMPLIFICATION karna sikhenge aur fourth SOUL AMPLIFICATION ki pechida class se aapko guzarna padega....

toh aap sab apne sabhi classes ke liye ready hain.....????

SAVENTS-YES WHIZZ.....

OPHILIA-great....

toh fir aaj ki class shuru karte hain....

par sabse pehle aap sab mujhe bataiye ki kya aap sab regularly SPELLS ke book ko padh rahe hain...???

SAVENTS-YES WHIZZ....

OPHILIA-very good...toh ab aapko karna ye hai ki aap sab ek baar firse apne apne brain CEREBRATION process ko pause
karenge...

is baar jab aap aisa karenge toh kyunki aap sabka brain stimulate ho chuka hai isiliye usse koi jhatka nahi lagega....

brain CEREBRATION pause karne ke baad aapko apne pure brain ke upar me ek roshni behti hui si dikhegi...

ye roshni ek kism ki bridge hai jiska ek sira aapke dimag se connected hoga aur dursa SPELLS se....


OPHILIA WHIZZ ki baat kisi bhi SAVENT ko samajh me nahi aayi thi jisse WHIZZ ne bhi bhaamp liya tha aur isiliye....


OPHILIA-jitne bhi spells aap sabko yaad hain,apne apne CEREBRATION process ko pause karne ke baad aap sabhi ko apne man me un saare spells ko repeat karna hai..

aapke aisa karte hi wo saare spells us roshni numa bridge se hote hue aapke brain ke saath jud jaayenge,matlab connect ho jaayenge....

isse aap apne magic karne ke dusre tarike matlab COMMAND MODE ko use me laa paayenge...


OPHILIA WHIZZ ki baat ab sabhi SAVENTS samajh chuke the jisse OPHILIA WHIZZ ne bhaamp liya aur....


OPHILIA-toh shuru karen???


OPHILIA WHIZZ ki baat par haami bhar sabhi SAVENTS apni apni jagah par paalthi maar kar baith gaye aur agle hi pal un sabki ankhen band ho chuki thi....

is baar apne CEREBRATION process ko pause kar apne apne dimag ko us roshni numa brigde se dhakne me sabhi ko sirf kuch seconds hi lage...

aur jaisa ki OPHILIA WHIZZ ne kaha tha,sabke dimag is baar sthir hi rahe..kisi jhatke ne unka dhyan nahi bhatkaya tha...

us roshni numa brigde ke brain ke upar aate hi sabhi SAVENTS ne apne apne ratte spells ko man hi man dohrana shuru kiya aur aisa karte hi un sabko ek nayi feeling aane lagi thi...

sabhi SAVENTS ko aisa lag raha tha maano unke kahe har spell ko wo roshni numa bridge unke subconscious brain ke har nerve se jod rahi hai...

wahin in sabse alag mai har din ki tarah aaj bhi bas aankhen band kiye baitha hua tha jisse OPHILIA WHIZZ ne dekh liya tha aur ab unhe bas sabhi SAVENTS ke aankhen kholne ka intezar tha...

kuch hi der me sabhi SAVENTS apne yaad kiye har spell ko apne subconscious brain ke nerves se jod chuke the aur aisa hote hi sabhi ki aankhen khul gayi....


OPHILIA-very good SAVENTS...ab aap sabke man me bole har spell ko aapke subconscious brain ne khud se jod liya hai jiska matlab hai ki aap sab jab chahen,un SPELLS ko ANURODHAM aur ADHESHAM se REQUEST aur COMMAND mode ke zariye use me laa sakte ho....

itna hi nahi,jo spells ki book aapke paas hai,usme likhe wo spells jo abhi tak aap sab memorize nahi kar paaye hain,usse bhi jab aap yaad kar len,toh same procedure ko follow kar un spells ko apne subconscious brain ke saath aap jod sakte ho....

kal hum apne class me spells aur unke istemal me brain ka kya kya kaam hota hai,wo jaanenge....

kya abhi ke liye kisiko koi doubt hai???

SAVENTS-no WHIZZ....

OPHILIA-RAAZ....saamne aaiye....


WHIZZ ne apni baat puri kar mera naam pukara jisse sun mai saamne aakar khada ho gaya....


OPHILIA-RAAZ...aapke pure batch me sabhi ne apne is safar ka pehla test BRAIN STIMULATION ko cross kar liya hai siway aapke....

cross karna toh door ki baat hai,aapne toh abhi tak apne CEREBRATION process ko pause karne ki koshish bhi nahi ki hai...

jahan sabhi SAVENTS us process me lage rehte the,wahin aap bas aankhen band kiye baithe rehte the...

aaj bhi aapne aisa hi kiya tha....


OPHILIA WHIZZ ki baat sun sabhi SAVENTS excluding MAHI & ALFREEN shocked ho gaye...

RAAZ arrogant hai,battamiz hai ye toh sabhi jaante the but wo aisa bhi kuch karta hoga,ye kisine socha bhi naa tha...

ACCHUTA aur SLUNDER bhi hairani bharo nazaron se RAAZ ki taraf dekh rahe the....

wahin OPHILIA WHIZZ ki baat sunane ke baad bhi main yunhi khada raha...

OPHILIA WHIZZ ko laga tha ki shayad mai kuch kahunga but jab mai chup hi raha toh....


OPHILIA- RAAZ..is INSTITUTION me rehna har SAVENT ka hakh hai...matlab ye tumhara bhi hakh hai....

but yahan is class me tum aa sakte ho yaa nahi,ye mai aur baaki WHIZZ aur WHIZZDERS tay karenge....

toh agar tum is class me bane rehna chahte ho toh....

MAI-nahi....


OPHILIA WHIZZ ki baat kaatethe hue maine ye kaha jisse sun...


OPHILIA-kya nahi...????

MAI-jis chiz par mera hakh nahi,us chiz ki mujhe zaroorat bhi nahi....


ye bol mai rooka nahi aur class se baahar nikalne laga par tabhi....

OPHILIA-rooko...


OPHILIA WHIZZ ki baat sun mai rooka aur palatkar unhe dekhne laga....


OPHILIA-ek chiz aur hai jispar baaki sabhi SAVENTS ki hi tarah tumhara bhi hakh hai...usse lete jao.....


ye bol OPHILIA WHIZZ ne apna haath aage kiye aur.....


MEDYATVA PATRAM PRAKATAM

RITUAL PAPER APPEAR


WHIZZ aisa bolte hi unke haath me ek folded paper aa gaya jisse unhone meri taraf badha diya aur maine usse unke hatheli ke upar se utha liya...

us folded paper ko mujhe de wo kuch bolne ko hui hi thi par paper lete hi mai wapas palta aur class se nikal gaya..

mujhe yun bina baat jaane jaate dekh pehle toh WHIZZ thodi hairan hui par fir meri aadat ko dhyan me rakh unhone apna dimag jhatka aur wapas SAVENTS ke taraf palat gayi jo unhe hi sawal bharo drishti se dekh rahe the...


OPHILIA-aap sab yahi soch rahe hain naa ki maine RAAZ ko abhi kya diya hai???

SAVENTS-yes WHIZZ.....

OPHILIA-wahi jo ab aap sabko milne waala hai...


OPHILIA WHIZZ ki baat ka matlab koi samajh nahi paaya tha isiliye sabhi ke chehre par abhi bhi prashn waale bhaav hi dikh rahe the jisse dekh....


OPHILIA- CHOSEN'S ki ek pratha hai jo har saal manayi jaati hai...

aur wo pratha ye hai ki har first PHASE ke SAVENT ko jaise hi wo khudko MAGIC aur metaphysical activities ko trigger karne ke layak banta hai,toh usse ye diya jaata hai....


ye bolte bolte hi ek baar firse OPHILIA WHIZZ ne apna haath aage kiya aur RAAZ ke saamne jo kaha tha wahi spell repeat kiya jiske baad wahi hua jo tab hua tha but ek difference tha..

aur wo ye ki last time spell bolne ke baad ek hi folded paper OPHILIA WHIZZ ke hatheli ke upar aaya tha but is baar ek ke baad ek kayi papers aate gaye aur fir wo papers ek ke baad ek har SAVENT ke saamne hawa me jaakar rook gaye....

aisa hote hi sabhi SAVENTS ne apne saamne rooke paper ko pakad liya tha....

sabhi us folded paper ko unfold karne hi waale the ki....


OPHILIA-jaisa ki aap sab ko pata hai ki CHOSENS ko bane 25 hazar saal ho chuke hain...

in 25 thousands year me har saal first PHASE ke SAVENTS ko ye paper milta hai jispar ek paheli likhi hoti hai...

aur jaisa ki har paheli ke maamle me hota hai, SAVENTS ko us paheli ko solve karna hota hai...

but unfortunately in 25 thousand years me aaj tak kisi bhi SAVENT ne is paheli ko solve nahi kiya hai yaa fir ye kahun ki is paheli ka matlab samajh hi nahi paaya hai.....

but kyunki ye ek ritual jaisa hai,toh carry forward hote rehta hai....

MAHI- WHIZZ,agar kisine is PAHELI ko solve kar diya toh fir kya hoga????

OPHILIA-AGATHOKAK.....ia upadhi se us SAVENT ko nawaza jaayega jo is paheli ko crack kar lega...

ALFREEN-AGATHOKAK...iska kya matlab hai???

OPHILIA- jis din is upadhi ka hakdar milega,us din sabko pata chal jaayega...yahi jawab tha SOVEREIGN'S ka jab tumhari tarah humne is upadhi ka matlab unse pucha tha...

abhi ke liye bas itna jaan lijiye ki jab bhi aapko is paper ki paheli ka answer guess karna ho,toh is paper ko apne face ke saamne rakh aapko answer bolna hai...

agar answer sahi hua toh paper ke aage hawa me SAHI JAWAB...aisa likha jaayega aur agar galat nikla jo ki aaj tak nikalta aaya hai toh same tarike se GALAT JAWAB, aisa likha jaayega....

now, unfold the paper and see the puzzle....


OPHILIA WHIZZ ke aisa kehte hi sabhi SAVENTS ne badi utsukta se us paper ko unfold kiya aur uske andar likhi paheli padhne lage jo kuch yun thi.....



TU KHUD EK SAWAL HAI....
AUR TERA JAWAB MUJHME HAI...

PADH MUJHE US SYAHI SE,
JO HAR WAQT TUJHME HAI......

(UPDATE 1,FIRST FOUR LINES)







AAJ KE LIYE ITNA HI.....




AAPKA APNA V...J...
 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF SHAILA AKSHAANT KO MOKALSAR KE STHITHI KE BAARE ME BATATI HAI WAHIN DUSRI TARAF SAARE SAVENTS KO CHOSEN'S KE PRATHA KE ANUSAR EK PAHELI MILTI HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-1


(UNFOLD THE RAAZ)


MEGA UPDATE-25



PLANET-ELYSIAN


PLACE-THE CHOSEN'S



THE BODY AMPLIFICATION CLASS


TOH SAVENTS..AAJ AAP SABNE BHI APNE APNE FIRST MAGIC SPELL KO SUCCESSFULLY EXICUTE KIYA,SO HOW WAS THE FEELING....???

SAVENTS-MAGICAL WHIZZDER...


SAVENTS ke jawab ko sun OMMIN has diye....

first class khatm ho chuki thi aur ab NEWBORNS ki second class jo ki BODY AMPLIFICATION ki thi,wo shuru ho gayi thi....


OMMIN-jaisa ki OPHILIA WHIZZ ne aapko bataya hoga ki aaj se aapki charon classes baari baari lagegi...

meri zimmedari aapke bodies ko AMPLIFY karne ki hai jo ki aap sab ke metaphisycal abilities ko nikharne ke liye bohot zaroori hai....

BODY AMPLIFICATION ke baare me aap sabko theoretical knowledge toh pata hai hai...

isme aapke sharir ko is laayak banaya jaata hai jisse aap wo sab kat paayenge jo filhal nahi kar sakte...

aur saath hi ye amplification aapke magical strength ko bhi badhayega...

but first things first...is amplification ko use me laane se aisa kya kar paayenge aap jo filhal nahi kar sakte,iska aapko ek demo dikhata hun...

aap...aap.....aap......aur aap....

yahan aayiye....


saare SAVENTS me se 4 SAVENTS ko ek tarah se chunte hue OMMIN WHIZZDER ne apne paas bulaya..

chunte hue isiliye kyunki jin chaar SAVENTS ko OMMIN ne bulaya tha,wo chaaron ladke the aur baaki ladkon se physically zyada strong aur hatte katte dikh rahe the....

unke aage aate hi OMMIN sirf left side mude aur fir un chaaron ko apne saamne khade hone ke liye kaha...

ab OMMIN sir aur wo chaaron aise khade the jisse saare SAVENTS paanchon ko hi clearly dekh sak rahe the...


OMMIN-now,aap sabhi apne apne right hand se yaa fir left hand se jisme bhi zyada power hai,usse ek saath mere shoulders aur chest par hit kijiye....


OMMIN WHIZZDER ki baat sun wo chaaron,wo chaaron kya sabhi SAVENTS shocked ho gaye....

wahin OMMIN WHIZZDER bhi un chaaron ke bhaavon ko samajh rahe the aur isiliye....


OMMIN-relax..its a regular drill..kabhi aisa humne bhi apne WHIZZDER ke kehne par unke saath kiya tha....

isiliye zyada sochon mat and hit me.....


sankoch toh ab bhi un chaaron ko ho raha tha but OMMIN WHIZZDER ki baat sun un chaaron ne ek baar ek dusre ki taraf dekha aur fir apne apne hatheli ki mutthi bana ek saath OMMIN ke dono shoulders aur chest par zor se ek ek punch maar diya aur aisa hote hi....


AAHHHHH.................


ek taz karah mooh se nikli...par ye karah OMMIN ki nahi balki un chaaron SAVENTS ki thi jo apna apna haath pakde chehre par dard aur hairani ke bhaav liye hue khade the....

wahin is scene ko dekh baaki ke SAVENTS bhi kaafi shocked ho gaye the...

aur in sabke beech OMMIN muskura rahe the....


OMMIN-

UPAZAMA KAROTI

RELIEF


OMMIN WHIZZDER ke is SPELL ko bolte hi unke haathon se ek ray nikal unke saamne khade SAVENTS ke haathon par padi jiske agle hi pal un chaaron ke haathon me jo tez dard ho raha tha,wo band jo gaya....


OMMIN-jao,apni jagah par khade ho jaao...

jo abhi aapne dekha,wo BODY AMPLIFICATION ki ek choti si jhalak thi....

ek baar agar aap sabka body amplified ho gaya,toh koi bhi normal chiz bhale hi wo kitni hi sharp kyun naa ho,aapke sharir ko nuksaan nahi pahuncha paayegi...

sirf ek meta physical ability ko trigger karne waale shaksh se,jo ki aapse zyada paripakv hoga,ussise aapke sharir ko nuksaan pahunch payega....

itna hi nahi,body ko amplified karne ke baad aap sab khudse 1000 guna tak ka wazan ya fir usse zyada bhi, depending on ur will power,lift bhi kar paayenge aur us chiz ko destroy karne ke bhi laayak ho paayenge....


OMMIN WHIZZDER ki baat sun sabhi SAVENTS super excited ho chuke the....


OMMIN-one more thing....BODY AMPLIFICATION aur BLOOD AMPLIFICATION bhi BRAIN AMPLIFICATION se jude hue hain...

kehne ka matlab ye hai ki aapki jo first teen classes hai,wo ek dusre se linked hain...

aur ye bhi ek wajah hai ki aapki first class BRAIN AMPLIFICATION ki hai...

toh jab bhi aap us class me apne apne brain ke nerves ko spells aur alag alag meta physical activities ke liye use me laane ki koshish karen,tab apne unhi nerves ko apne body aur blood ke saath jod kar apne task fulfil karen...

isse aapka brain,aapki body aur aapke blood amplification ke process me tezi bhi aayegi aur zyada nikhar bhi....

got my words....

SAVENTS-YES WHIZZDER....

MAHI- WHIZZDER,what about our last class...SOUL AMPLIFICATION...!!!!

kya wo brain,body aur blood se connected nahi hota hai....???

SAVENT-soul kisi bhi jeev,manushya ya living being ka wo anmol aur rare part hota hai jisse survive karne ke liye naa toh brain ki zaroorat hoti hai, naahi blood ki aur naahi body ki...ye ek alag hi form hai jiski energy waves,power, abilities ka koi jod nahi...

infact,is form ke liye toh life ki bhi zaroorat nahi padti...aur yahi baat isse sabse zyada special and at the same time sabse zyada khatarnaak aur deadly banati hai....

in short,SOUL DOESN'T NEED,BRAIN,BLOOD & BODY....

but on the contrary,BRAIN,BLOOD & BODY are useless without A SOUL...

i hope aap sab soul ki importance and more importantly,SOUL AMPLIFICATION ki class ki importance samajh gaye honge....

SAVENTS-yes WHIZZDER....

OMMIN-good..toh ab mai aapko batata hun ki BODY AMPLIFICATION process ko shuru kaise karte hain....????

STHVIRA PHALAKA

STURDY LAYERS

apni apni aankhon ko band kar aap sab is SPELL ko uccharit karenge...

hamare face aur body ki skin kayi layers me bani hoti hai..is spell ke prabhav me aakar skin ke wo saare layers mazboot hote chale jaate hain....

kintu ye mat samajhiyega ki kyunki ab aap sabke subconscious brain ke nerves magic aur metaphysical activities ko trigger karne ke laayak ban chuke hain toh ye sab aapke liye asaan hone waala hai...

aisa bilkul bhi nahi hai aur wo isiliye kyunki har spell ki apni ek shakti hoti hai...

par kuch aise bhi spell hote hain jo apni shakti se uske istemal karne waale ki shamata ko badhate hain...

aise SPELLS ko kaam me laana bohot mushkil hota hai...

jaise brain amplification ke class ke shuruati daur me subconscious brain ke nerves ko trigger karte waqt aap sabke brain ko jhatke lagte the jiski wajah se aap sabka CEREBRATION process fir se shuru ho jaata tha,thik waisa hi kuch is class me bhi hoga...

bas fark itna hai ki wahan aap sabke brain hi brain ki rukawat thi,aur is class me aap sab ki body hi aapke body ke amplified hone ki rukawat hone waali hai...

us class me aapke dimag ko jhatke lagte the,is class me aapke body ko jhatke lagenge....

MAHI- WHIZZDER,iska matlab hai ki next class matlab BLOOD AMPLIFICATION ke waqt hamare andar beh rahe blood se hame jhatka lagega....!!!!


MAHI ki baat sun muskurate hue OMMIN ne haan me sir hilaya jisse dekh sabhi SAVENTS ke sharir me ek jhurjhuri si doud gayi...


ACCHUTA-arre hum magic sikhne aaye hain yaa current khaa khaa kar usse jhelna sikhne.....

chalo,ek baat achi hai,yahan se nikalne ke baad koi job lage naa lage, electricity department me toh job confirmed hai....


OMMIN ki baat sun flow flow me ACHHUTA ke mooh se ye baatein nikal gayi...

usse laga ki usne dheere hi bola tha but aisa tha nahi..uski baat thodi loud thi jisse sabhi ne sun liya tha aur has pade the...

aur jab ACCHUTA ko ye realize hua toh uski fati..darte hue usne OMMIN ki taraf dekha par OMMIN bhi uski baat sun muskura rahe the jisse dekh uski jaan me jaan aayi....


OMMIN- wo spells jisse aapko hi taklif pahunchegi,usse uccharit kar kaam me laane ki koshish karte waqt bhi yunhi khudko light rakhna hai aap sabko....

kyunki yahi wo ATTITUDE hai jisse negetive environment me bhi aapka man shant rahega..

aur aisa hone par hi aapke brain ki tarah aapke bodies,aur blood bhi amplified ho paayenge....

toh ab shuru karen...!!!

SAVENTS-yes WHIZZDER...


apni apni baat keh sabhi SAVENTS jahan khade the,wahin paalthi maar baith gaye..

baithne ke baad aankhen band kar sabhi ke mooh se ek saath uccharit hua....


STHVIRA PHALAKA

STURDY LAYERS


aur aisa hote hi......

aahhhhh........


spell uccharan karte hi sabhi SAVENTS ke sharir ke har ang me ek tez vidyut ka sanchar hua aur aisa hote hi sabhi ko apne sharir me ek tez jhatka feel hua jiski wajah se ek karah ke saath sabhi ki aankhen khul gayi....

itna hi nahi,us current ka prabhav itna tagda tha ki is waqt sabhi SAVENTS ko aisa lag raha tha jaise wo sab milon daudte hue aaye hon...

behad thakan mehsoos kar rahe the sabhi SAVENTS is waqt....


OMMIN-hahahaha......maine toh pehle hi kaha tha ki ye itna asaan nahi hoga.....

waise bhi aap sabne baiththe hi spell uccharit kar diya tha...aap sabko kuch waqt ke liye khudko dheela chhod abhi jo aap sabko laga,us jhatke ke asar ke liye khud ko taiyar kar spell bolna tha...

par koi baat nahi,firse try karte hain....


OMMIN WHIZZDER ki baat sun sabhi SAVENTS ke chehre peele padh gaye....

reason...

abhi bhi us jhatke ka asar un sabki bodies par tha jiski wajah se sabhi kaafi kamzor feel kar rahe the aur aise me firse ek baar try karne ke khayal se hi sabki haalat kharab hone lagi thi par un sabke beech MAHI ne ek gehri saans li aur wapas paalthi maar baith gayi...

wo dobara apni aankhen band kar spell bolne hi waali thi ki tabhi OMMIN ki nazar uspar padi aur...


OMMIN-nahi MAHI...mai toh mazak kar raha tha...abhi tumhara sharir is laayak nahi hai ki turant ek aur jhatka jhel sake...

par ye dekh kar bohot acha laga ki tumhara determination tumhare dar aur dard dono se bada hai....

well guys...30 minutes ka break hai aap sabke liye...itna waqt kaafi hai aap sabke back to normal hone me...

uske baad aapki BLOOD AMPLIFICATION ki third class shuru hogi... aur ab hum kal milenge....


ye bol OMMIN class se baahar nikal gaye aur unke jaate hi sabhi SAVENTS apni apni jagah par baith apni susti mitane me lag gaye aur aise hi kab 30 minutes nikal gaye,un sab ko pata hi nahi chala...



BLOOD AMPLIFICATION



BLOOD.... universe ke sabse honest aur pure creation me se ek hai ye aur isiliye hi iski shakti bhi devine hoti hai aur saath hi bohot zyada powerful bhi...

is shakti ke sahi istamal me laane se sharir ke chaaron taraf ek AURA create hota hai jisse sharir ghatak se ghatak waar ko bhi jhelne ke kaabil hota hai...

ek tarah se BLOOD AMPLIFICATION karna hamesha ke liye khud ke upar ek natural sheild build karne jaisa hai...

par is shield ki strength usse banane waale ki strength par depend karti hai....


AURAVA VIBHUTIEN

AURA EXPANSION


NOX ne BLOOD AMPLIFICATION ka matlab aur saath hi is amplification ko trigger karne waala spell sabhi SAVENTS ko bataya jiske baad.....


aahhhhhh...,..


ek bar firse jhatka laga tha saare SAVENTS ko jisse unki already bigdi haalat aur zyada bigad chuki thi....

NOX ko pata tha ki BODY AMPLIFICATION CLASS ke waqt SAVENTS ko ek jhatka already lag chuka tha jisse wo sabhi just recover hue the par is jhatke ke baad un sab ko dobara recover hone me pura din lag jaayega but ek sach ye bhi tha ki un sab ka ye safar aasan nahi tha...

GOD GIFTED hona sirf ek blessing hi nahi balki ek zimmedari bhi hai jo asaan toh hone se rahi....

ye safar mushkil hai par SAVENTS ko ispar har haal me chalna hi hai isiliye chhut ya liberty nahi mil sakti...

spell ko uccharit karne ke baad sabhi SAVENTS ko apne apne sharir ke andar har jagah se kuch aage badhta hua sa mehsoos hua jiske agle hi pal unhe ye jhatka laga tha aur unke mooh se ek karah phoot padi...

aur is karah ke saath sabhi SAVENTS ki haalat aur kharab ho chuki thi...sabhi apni bathi jagah par niche ludakh kar gir chuke the aur waqt ke saath dheere dheere wapas baithne ki mudra me aa rahe the....issi beech....


ACCHUTA-yaar,humse toh khushnaseeb wo saala RAAZ hai...in sabhi pachdo se bina kisi tention ke nikal liya aur saala ek hum hain,har thodi thodi der me khud se khud hi ki le rahe hain....

SLUNDER-toh tujjhe roka kisne hai???tu bhi chala jaa class se..yahan baithne par koi boundation nahi hai...

ACCHUTA-abe yahan agada pichwada,sabhi suje pade hain par tere mooh ka gutter fir bhi chaalu hai...

tu ek kaam kar bhai,mai naa tujhe ek yogasan sikhata hun....usse tu aage jhuk kar khud ka hi mooh me lene ke kaabil ban jaayega...

isse tera mooh bhi band rahega....

SLUNDER-jab tujhe already wo aasan aata hai toh khud hi kyun try nahi kar leta...isse har taraf shaanti bani rahegi...

ACCHUTA-sidha sidha bola naa,ki tu mooh me kaise le sakta hai???mooh ke shutur me daanton ka gate jo laga hai...usse kuch paar thodi naa ho paayega...


ACCHUTA ki baat sun SLUNDER phir kuch bolne waala hi tha ki....


NOX-koi baat nahi SAVENTS...aaj aap sab ka first attempt tha,toh ye jhatke lagna aur unhe naa seh paana normal baat hai...

aaj ke liye class over..infact the whole day is over..aap sab filhal is condition me nahi hain ki SOUL AMPLIFICATION ki class attend kar paayen kyunki us class me toh sabse zyada energy ki zaroorat padti hai...

isiliye apne apne ABODE aur hostel jaayiye aur complete rest lijiye...kal mulakat hogi...


ye bol NOX class se baahar nikal gaye aur unke peeche peeche sabhi SAVENTS bhi apne apne destination ki taraf chal pade.....




PLACE- SHAILA'S ABODE



HEY PARAMEHWAR KE PUTRO.....HAMARE ASTITV KE SWAMI....AAJ HUMARE MAN BOHOT VYAKUL HAIN....

MASTISHK ITNA ASTHIR HAI KI AAP DONO KE DIYE HUE KARTAVYA PATH PAR CHALNE ME BHI HAMARE PAIR DAGMAGA RAHE HAIN...

HAMARA KASHT HAMARE SEHEN SHAKTI SE ZYADA UGR HO CHUKA HAI....HUMPAR KRIPA KAR HUME DARSHAN DIJIYE AUR HAMARE CHITT KO SHAANT KARNE ME HAMARI SAHAYATA KIJIYE...


is waqt SHAILA aur AKSHAANT apne ABODE ke hall me ghutno ko bal baith aankhen band aur haath jode is prayer ko bol rahe the....

aur jaise hi unhone apne apne dil ki baat kahi toh uske agle hi pal....

dono ke hi dimag me ek tez roshni chamki jiske tej ke prabhav se AKSHAANT aur SHAILA,dono ke hi vyakul man shaant hone lage...

unhe aisa lagne laga maano angaaron se bhare raaste par kisi ne barf si thandi paani udel di ho...

aseem sukh aur shaanti ki anubhuti hone lagi dono ko apne bheetar..ek aisi shanti jiski wajah se dono hi apna asli prayojan,aur usse ho rahi taklif bilkul bhul se gaye the.....

aur shayad aage bhi yahi hote rehta par tabhi....


MASTISHK ITNA ASTHIR HAI KI AAP DONO KE DIYE HUE KARTAVYA PATH PAR CHALNE ME BHI HAMARE PAIR DAGMAGA RAHE HAIN...

AGAR AISI BAAT HAI TOH HUM AAP DONO KO APNE KARTAVYA SE ABHI AZAAD KARTE HAIN...


CREATURE OF JUDGEMENT ASMODEUS ki awaaz gunji dono ke DIMAG me jisse sun naa sirf dono apni apni feeling se baahar aaye par saath hi jo us awaaz ne kaha tha,usse sun dono ki haalat kharab bhi ho gayi....


AKSHAANT-nahi PARMESHWAR PUTRA...hamare kehne ke arth wo nahi tha...

ASMODEUS-aur isiliye hi maine apne baat ke aage agar lagaya hai...warna faisle mai puch kar nahi karta...


apne chir parichit rubaav ke saath ASMODEUS ne apni baat kahi jisse sun ek pal ke liye toh dono hi dar gaye par phir....


SHAILA-LORD....aapse toh kuch bhi chhupa nahi hai...jo kuch bhi ho raha hai aur aage bhi jo hoga,wo aapke yojna ke anusaar hi hoga...

par hum toh sadharan hain..in kuch dino me humare saath jo kuch bhi ghata hai,usse hamari sujh bujh,hamari sehen shakti jawab dene lagi hai...kripya hamara marg darshan karen...

ASMODEUS-do baatein kahi hain aapne..dusre se shuru karte hain...

SUJH BUJH....SEHEN SHAKTI,BHAAVNA rupi sikke ke ek hi pehlu ke bhaag hain...ye alag nahi ho sakte..

jo hua uski wajah se aap dono abhi bhi krodh me hain par phir bhi shaanti purvak apni baat mere saamne rakh rahe hain,isse pata chalta hai ki aapki sujh bujh aur sehen shakti ab bhi aapke saath hai...

aur rahi baat aapke hamare baare me ki gayi vyakhya ki toh aap bataiye,ki jo MOKALSAR ne kiya,kya waisa kuch karne ke liye humne kaha tha....

usne jo karna chaha aur kiya bhi,usse karne dene ke kiye aap dono ne usse roka nahi...kya ye hamari yojna ka hissa tha...???

AKHSAANT/SHAILA-nahi LORD....

ASMODEUS-toh kaise keh sakte hain aap dono ki jo ho raha hai aur aage jo hoga,wo hamari yojna ke anusaar hi hoga...

agar ek nadi me do log kuden jinme se ek ko tairna aata hai,aur dusre ko tairna nahi aata toh aisi paristithi me kya hoga???

SHAILA-jisse tairna nahi aata ,wo doob jaayega....

ASMODEUS-aur ye kisne tay kiya..??us nadi ne ya us doobne waale vyakti ke KARM ne....

AKSHAANT-KARM ne....

ASMODEUS-kaise???

AKSHAANT-agar doobne waale vyakti ko tairna aata hi nahi tha yaa fir us nadi ki gehrayi usse nahi pata thi toh usse nadi me utarna hi nahi chahiye........


tha bolne se pehle hi AKSHAANT aur SHAILA dono ko hi ASMODEUS ke tark ka matlab samajh aa gaya tha...

ASMODEUS jo unhe samajhna chaah rahe the,wo baat unki samajh me aa gayi thi...

wo samajh gaye the ki jis nadi ki baat ASMODEUS kar rahe the,wo asal me RAAZ tha aur jis doobne waale vyakti ke baare me ishara kar rahe the,wo tha MOKALSAR infact uske saath wo dono khud bhi wahi the....

jaise nadi ki gehrayi ke baare me bina jaane ek non swimmer ko utarna nahi chahiye waise hi bina natije ki fikr kiye MOKALSAR ko bhi RAAZ ke dimah me nahi ghusna chahiye tha aur isiliye....


ASMODEUS-MOKALSAR ki sthithi filhal jaisi hai,waisi hi rahegi....ye unke karm hain jinke parinaam unhe bhugatne hi honge....

isme ham tumhari koi madad nahi kar sakte...

aur naahi jo tumne RAAZ ke dimag me dekha tha,uske baare me tum dono ko hi kuch bata sakte hain...


isse pehle ki SHAILA RAAZ ke dimag me jo VINASH unhe dikha tha, uske baare me puchti, ASMODEUS ne apni baat keh di thi jisse sun SHAILA aur AKSHAANT dono hi behad nirash hi gaye the...

unhe laga ki ASMODEUS se baat karne ke baad bhi unhe kuch pata nahi chalega par tabhi....


ASMODEUS-kintu do sach aise hai jiske baare me hum bata sakte hain..do aise sach jinke bina RAAZ ke baare me jo do sach tum logon ne jaana hai ,wo adhura hoga....

SHAILA-kaisa sach LORD???

MOKALSAR-tumhe pata chal sakta hain kintu jaise pehle RAAZ ke ganit samajhne ki keemat MOKALSAR ko chukani padi,waise hi keemet tum dono ko bhi chukani padegi....

AKSHAANT-hum samjhe nahi lord.....???

ASMODEUS-do aur aise sach hai RAAZ ke,jinhe hum tumhe batayenge but unhe jaanane ke baad tum dono bhi ussi haalat me chale jaaoge jis haalat me is waqt MOKALSAR hain...


ASMODEUS ki baat sun AKSHAANT aur SHAILA dono ko jhatka laga but us jhatke se badi thi wo taklif jo un dono ko MOKALSAR ko us haalat me dekhkar ho rahi thi par saath hi sabse bada tha un dono ka ASMODEUS and most importantly VIKRAM par vishwas..

unhe pata tha ki bhale kuch bhi ho jaaye,ye dono sab sambhal lenge aur isiliye.....


AKSHAANT/SHAILA-hume manzoor hai....

ASMODEUS- EPIDERMIS, DERMIS aur HYPODERMIS.....in teeno se kya banta hai....????

AKSHAANT-BODY....HUMAN BODY...INSAANI SHARIR...(fact)

ASMODEUS-bikul sahi...

KAARAN,EHSAAS,CHARITRA,SAJAGTA,YAADDAASHT,DRISHTIKON,SOCH....

(reason,character, feeling, consciousness, memory, perception, thinking)

in saathon ke mishran se kya banta hai????

SHAILA-SOUL...HUMAN SOUL....(fact according to greek mythology)


ASMODEUS-BRAIN AUR BLOOD KI HI TARAH RAAZ KA JO SHARIR DIKH RAHA HAI,WO NAKLI HAI,AUR SAATH HI RAAZ KE ANDAR SOUL BHI NAHI HAI...


aur ye laga jhatka.....ek aisa jhatka jisse thik se SHAILA aur AKSHAANT mehsoos bhi nahi kar paaye....

reason...

jaisa ki ASMODEUS ne kaha tha...dono sach ko jaante hi SHAILA aur AKSHAANT MOKALSAR ki hi tarah apni chetna kho chuke the par chetna khote khote bhi unke mastishk me jo un logon ko already pata thi aur ab jo ASMODEUS ne baat bataye,wo chaaron baatein ghumne lagi thi...


BRAIN....
BODY.....
BLOOD.....
SOUL.....


yahi wo chaar chizen thi jisse AMPLIFY karne ki classes first PHASE me lagti thi,jiske bina koi SAVENT ban hi nahi sakta, SAVENT chhodo,bina jiske human form ki existence hi possible nahi hai,wo chaaron chiz RAAZ ke paas thi hi nahi......



RAAZ.. .is kahani ka ek ehem kirdaar...

ek aisa kirdaar jisse puri kahani ban gayi hai ek RAAZ.......






AAJ KE LIYE ITNA HI......




AAPKA APNA V..J.....
 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF SAVENTS KI BRAIN KE SAATH SAATH BODY AUR BLOOD KI CLASS BHI SHURU HO CHUKI HAI WAHIN DUSRI TARAF RAAZ KE 2 NAYE RAAZ JAANANE KE BAAD SHAILA AUR AKSHAANT BHI MOKALSAR KI HI TARAH APNI CHETNA KHO DETE HAIN....


AB AAGE:-



CHAPTER-1


(UNFOLD THE RAAZ)



UPDATE-26



PLANET-ELYSIAN


PLACE-HOSTEL




YE SAB TUM DONO MUJHE KYUN BATA RAHE HO????


ACCHUTA aur SLUNDER se pucha tha maine ye sawal...

reason.....

mere room me aate hi ye dono aaj class me jo jo hua tha,uske baare me mujhe batane jo lage the....

waise filhal shaam ka waqt hai aur har din ki tarah mai apne room me baitha hua tha ki tabhi ye dono mere room me aa dhamke the....


ACCHUTA-bhai,kyun bata rahe hain,ye toh mujhe bhi nahi pata...in bhai sahab ne mujhse kaha ki chal, RAAZ ko aaj ke classes me sikhayi gayi chizen bata kar aate hain toh mai bhi aa gaya....

SLUNDER-haan,toh kya galat bola..... RAAZ ne aaj class toh attend ki nahi,infact ab toh ye kabhi attend karega bhi nahi toh isiliye maine socha ki kyun naa isse jo class me ho raha hai,uska info de dun taaki theoretically hi sahi,kamsekam waise hi ye class se juda toh rahe...

ACCHUTA-waah beta, theoretically!!!yahan practically judkar bhi hum kya ukhad paa rahe hain jo theoretical gyan se isse faayda hoga...

ulta aaj class me jo hua,usse hamare saare urje purje ukhadne ki kagaar me aa gaye hain...

wo chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS faaltu me un teeno ladkiyon ko baki SAVENTS se tez samajhte hain...

sabse tez toh ye RAAZ hai...sahi time par sahi khel khel gaya bhai tu RAAZ....

ye saale khatarnaak jhatkon se bina mehnet ke hi bach gaya tu..ab ye hua na dimag ka sahi istemaal....

SLUNDER-tere sur phir wahin atak gaye..tujhe subah bhi bola tha ki itni hi taklif hai toh class se nikal jaa..wahan baithne ke liye koi boundation nahi hai...

ACCHUTA-beta bola toh maine bhi tha ki mai tujhe ek aisa yog aasan sikha sakta hun jisse tu aage pura jhukkar khud hi khud ka mooh me lene ke laayak ho jaayega jisse tera ye guttur jaisa mooh band rahega...

aur issike saath ek baar firse shuru ho gayi dono me behes...ye dono aaye the mujhe gyaan dene par as usual,ek dusre se lagna chalu ho gaya tha dono ka aur ye faaltu ki behes kaafi der tak chalti par....


MAI-FORBIDDEN FOREST....us book se kuch pata chala us jagah ke baare me...???


mere sawal se naa sirf un dono ki behes rook gayi balki saath hi dono ke chehre bhi serious ho chuke the.....


SLUNDER-tune us din suni thi hamari baat...!!!par tu toh so gaya tha naa....!!!

MAI-dono hi baat sahi hai...baat sunte sunte so gaya tha.. ab wo sab chhodo,jo pucha hai uske baare me batao.....us book se kuch info mili FORBIDDEN FOREST ke andar jaane ke baare me....???

SLUNDER-nahi BHAI......us book me likha hai ki wo FOREST 2 SERAPHIM ANGELS(TOP RANKING ANGELS) ki holy powers se bana hai aur saath hi us pure forest ke chaaron taraf ek shield bichi hui hai
jo 3 CHERUBIM ANGELS (SECOND TOP RANKING ANGELS)ne apni 75 percent ki shakti ko tyag karke lagaya hai....

aise me uske andar jaane ki sochna bhi murkhta hai....

ye sab bolte bolte SLUNDER aur saath hi ACCHUTA ke chehre par dard aur maayusi ki jhalak ek saath dikhne lagi jisse dekh...

MAI-toh ummid khatm...!!!tum dono ke maa baap jis condition me hain,ussi condition me rahenge...

SLUNDER-nahi nahi...bhale kuch bhi kyun naa karna pade,mai apne mom dad ki chetna wapas laa kar rahunga...

MAI-CHERUBIM ANGELS ki shakti se bana SHIELD,itna asaan nahi hoga usse todna.....

un angels ki shakti ya unse zyadi badi shakti ki zaroorat padegi us kawach ke paar jaane ke liye....


meri baat sun SLUNDER aur maayus ho gaya tha.mayus toh ACCHUTA bhi tha but fir bhi mahoul ko light karne ke liye


ACCHUTA-yaar,ab ye sab chhodo...jo hoga dekha jaayega...yaar RAAZ,tune wo paheli padhi ki nahi jo OPHILIA WHIZZ ne sabko di thi..!!!!

MAI-haan, padh li...

ACCHUTA-toh,kuch samajh me aaya....???

MAI-maine samajhne ki koshish nahi ki...

ACCHUTA-haan bhai tu kyun samajhne laga bhala...samajhna toh hum jaise namuno ko hai jinhe har din apne pichwade ko classes me ragadna hai...

teri toh bhai aish hai.. khaa,pee aur ghum....

SLUNDER-mujhe samajh me nahi aata ki tu ek SAVENT ho bhi kaise sakta hai..???fighting spirit toh dikhti hi nahi tujhme...

ACCHUTA-jitne jhatke ab tak lag chuke hain naa,saara spirit unhi jhatkon me lagne waale chot par ghis diya maine...

tere paas extra bacha hai toh de de thoda bhai....

SLUNDER-tu agar aisa hi raha naa,toh next PHASE me WEAKLINGS ki catagory me hi entry milegi tujhe....

ACCHUTA-arre toh koi naa.dono bhai aaram se raaj karenge WEAKLINGS me...

SLUNDER-RAAJ!!!!abbe mazdooron jaisi haalat hogi us catagory me,dekh liyo....

yaad nahi WHIZZ ne first class me catagories ke baare me batate waqt kya kaha tha???second PHASE me hamari life styles aur baaki sab kuch hamare catagories hi decide karenge...

aur waise bhi, WEAKLINGS tujhe hi mubarak ho...sirf tu hi wo catagory deserve karta hai....

ACCHUTA-haan bhai,aap toh hain hi multi talented..aapke daanth aapke hunar ki gawahi de rahe hain...

aur isiliye arz kiya hai ki...

aap toh BADE,aapka hi BADA...aapke mooh me hamara L**DA...

SLUNDER-BHO***KE.....


apni baat bol ya fir jaisa ki usne kaha tha arz kar,bhaaga ACCHUTA
aur uske piche gaali deta hua douda SLUNDER.....



NEXT DAY:-


PLACE-CHOSEN'S


EK ANISHCHIT KAAL KE LIYE TEENO SOVEREIGN'S KISI KAAM SE BAAHAR GAYE HAIN...

JAB TAK WO TEENO WAPAS NAHI AA JAATE TAB TAK UNKI JAGAH MARILIZA WHIZZ CHOSEN'S KI INCHARGE RAHENGI.....


apno class me jaati OPHILIA ke kaano me ye dhwani sandesh gunj utha jisse sun wo gehri soch me chali gayi...

waise ye sandesh sirf OPHILIA ko hi nahi balki teeno PHASE ke sabhi WHIZZES aur WHIZZDERS ke kaano me gunja tha...


OPHILIA man me-ye is saal har chiz itni unexpected kyun ho rahi hai???

pehle us RAAZ naam ke ajeeb SAVENT ka aana...uska itna negetive ATTITUDE...hum chaaron ka behosh hona aur aaj pehli baar teeno SOVEREIGN'S ek saath CHOSEN'S me nahi hain aur wo bhi anishchit kaal ke liye....

pata nahi aur kya kya hone waala hai aage chalkar....


GOOD MORNING WHIZZ.....


apne khayalon me gum OPHILIA WHIZZ ne class me enter bhi kar liya tha par unhe iska ilm tak nahi tha par SAVENTS ke unhe greet karne se wo turant apni soch se baahar aa gayi....


OPHILIA-GOOD MORNING SAVENTS....so how are guyzzz this morning...????

SAVENTS-WE ARE GOOD WHIZZ...

OPHILIA-kal BODY AMPLIFICATION aur BLOOD AMPLIFICATION me lage jhatkon ke asar aap sabke bodies se khatm ho gaye yaa nahi....???

SAVENTS-yes WHIZZ...

OPHILIA-good...abhi toh shuruat hai...dheere dheere aadat pad jaayegi...actually aadat daalni hai ya saare lagne waale jhatkon se hamesha ke liye nijat paana hai,ye aap logon par depend karta hai...

jitni jaldi aap sab apne body aur blood ko amplify karne me successful honge,utni jaldi aap un jhatkon ko control kar sakenge....

SAVENTS-we will try aur best WHIZZ...

OPHILIA-i know....waise kal OMMIN WHIZZDER ne aapko bataya hoga ki is class me bhi aapko apne nerves ko apne body aur blood se jodkar apne task pure karne ki koshish karni hai jisse aapko un classes me bhi madad milegi....

SAVENTS-YES WHIZZ.....

OPHILIA-great...toh chaliye aaj ki class shuru karte hain...aaj aapko karna ye hai ki apne apne CEREBRATION process ko pause karne ke baad aapko koi bhi ek low level spell ko dheere se uccharit karna hai aur fir ANURODHAM bolna hai...

but aapke aisa bolne ke baad jaise hi aapke dimag me ek hulchal ho,jiska ye matlab hai ki aapka spell kaam me aane waala hai,thik tabhi aapko apne brain se apne body aur blood ko feel karna hai aur iske turant baad man hi man ARAMATI jiska matlab STOP hota hai, uccharit karna hai...

aapke aisa karne par aapke dimag se nikalti spell ki urja baahar naa aakar aapke body aur blood se takrayegi aur aisa hote hi aapko jhatke lagenge par ye jhatke bohot maamuli honge...

aapko zyada fark nahi padega par isse aapke body aur aapke blood ki inner strength badhne lagegi....

jiski wajah se aap logon ko aapke next do classes me AMPLIFICATION karte waqt jo jhatke lagte hain,us jhatke ka asar halka halka kam lagne lagega....

ye process ek ya do baar karne par kaafi easy lagta hai but agar isse lagatar kiya jaaye toh body aur blood ko nuksaan bhi pahunch sakta hai aur isiliye hi aap sab aaj ye tarika total 5 baar hi try karenge....

usse ek baar bhi zyada nahi...is that understood...????

SAVENTS-YES WHIZZ.....

OPHILIA-toh chaliye fir,shuru kijiye.....


OPHILIA WHIZZ ke aisa kehte hi sabhi SAVENTS turant neeche baith gaye aur agle hi pal un sab ki aankhen band ho chuki thi aur saath hi un sab ka cerebration process pause ho chuka tha....

cerebration process ke pause hone ke baad jaisa OPHILIA WHIZZ ne bataya tha, sabhi SAVENTS waisa hi karne lage the...

ek low level ke spell ko dheere se uccharit karne ke baad sabhi ne apne man me ANURODHAM kaha aur sabke aisa kehte hai jaisa ki WHIZZ ne bataya tha,sabhike dimag me ek hulchal hui aur aisa hote hi sabhi ne man me ARAMATI kaha...

aur sabke aisa bolte hi us spell ki urja baahar naa nikal SAVENTS ke body aur blood se jaa takrayi jisse sabhi ko jhatke lage par jaisa ki WHIZZ ne bataya tha,ye jhatke bohot mamuli the jisse kisi ko koi khaas fark nahi pada..

kuch seconds ke halt ke baad SAVENTS ne fir same prakriya dohrayi aur is baar bhi same result nikla...

lagne waale jhatkon se kisi bhi SAVENT ko kuch khaas fark nahi padh raha tha but fir bhi halki halki thakan un sab ke chehron par chalakne lagi thi aur isiliye hi OPHILIA WHIZZ ke kahe mutabik 5 baar is prakriya ko repeat karne ke baad sabhi SAVENTS ne apni aakhen khol di...

halki halki thakan un sabhi ke chehron par dikhne lagi thi jisse dekh....


OPHILIA-very good SAVENTS....bohot sahi tarah se aapne meri baaton ko apne task me implement kiya hai..

aap sab ko jo thakan mehsoos ho rahi hai,uska asar bohot hi minimum hai aur isse kuch hi minutes me aap recover ho jaayenge...

aaj ke liye itna hi...kal milte hain,ye bol OPHILIA WHIZZ class se baahar nikal gayi aur unke piche sabhi SAVENTS baithe baithe hi rest karne lage...



BODY AMPLIFICATION CLASS



STHVIRA PHALAKA

STURDY LAYERS


AHHHHH......


kal hi ki tarah aaj bhi is SPELL ko uccharit karte hi sabhi SAVENTS ke body ke andar ek tez jhatka laga jisse sabhi ki haalat kharab ho gayi...


OMMIN-koi baat nahi...5 minutes ka rest uske baad ek baar aur try karenge....

ACCHUTA dheere se-ye WHIZZ pagla gaye hain kya???itne tez jhatke ke baad 5 ghante bhi recover karne ke liye kam padenge aur ye 5 minute bol rahe hain...


ACCHUTA hi nahi balki baaki sabhi SAVENTS bhi man hi man same chiz soch rahe the but fir 5 minute hote hote sabhi ko ek surprise mila aur wo ye ki un sabke bodies fully recover ho gaye the jisse dekh pehle OMMIN muskuraye aur fir....

OMMIN-chownkiye nahi..ye sab aapke first class me kiye gaye task ki wajah se hua hai aur isiliye hi maine kal kaha tha ki aapki first three classes interconnected hai...

jitna zyada aap apne brain ko apne body aur blood se jodkar spells bolenge,utna zyada aap sabko faayda hoga...

ab chaliye,dobara try kijiye...


OMMIN WHIZZDER ke aisa kehte hi sabhi ne dobara same SPELL uccharit kiya jiske baad ek baar firse sabhi ko jhatke lage but OMMIN ko bhi pata tha ki is baar recover hone ke liye sabhi SAVENTS ko kamsekam 30 minute lag jaayenge aur isiliye....


OMMIN-aab aap sabko thodi zyada der tak rest karne ki zaroorat padegi aur waise bhi aaj se aap sabki SOUL AMPLIFICATION ki class bhi shuru hone waali hai,but usse pehle aapki BLOOD AMPLIFICATION ki class bhi hai isiliye aap sab filhal rest kijiye..

hum ab kal milenge....


ye bol OMMIN WHIZZDER bhi class se nikal gaye aur unke jaane ke 30 minutes ke baad NOX WHIZZDER class me padhare aur kal hi ki tarah aaj bhi SAVENTS AURAVA VIBHUTIEN SPELL ko uccharit karne ke baad jhatke lage but is baar bhi hum jaldi hi recover ho gaye...

BODY AMPLIFICATION class ki hi tarah is class me bhi SAVENTS is spell ko do baar uccharit kiya but fir hamari haalat khasti ho gayi jisse dekh OMMIN WHIZZDER bhi SAVENTS ki kal fir lene ki bol nikal gaye...

aise hi SAVENTS ke aaj ke first three classes khatm hue aur ab baari thi 1ST PHASE ke sabse important class matlab SOUL AMPLIFICATION ki jiske baare me soch kar hi sabhi SAVENTS ki phatne lagi thi...

reason....

jab baaki teeno classes me sabki aisi ki taisi ho rakhi thi toh sab soch rahe the ki SOUL AMPLIFICATION ki class me unki kya haalat hogi...

sabhi apni apni sochon me ho gum the ki tabhi....



SOUL AMPLIFICATION CLASS.....



GOOD MORNING SAVENTS....

GOOD MORNING WHIZZ....


ek muskaan ke saath VIOLET WHIZZ ne SAVENTS ko greet kiya...

VIOLET WHIZZ ki ye muskaan sirf greet karne waali nahi thi balki unhe bhi SAVENTS ki haalat ka andaza tha aur isiliye....


VIOLET-toh aaj se aap sabki SOUL AMPLIFICATION ki class start hoti hai...

waise toh sabhi classes ka apna hi
mahatv hai par SOUL AMPLIFICATION ke mahatv ka andaza sirf issi baat se lagaya jaa sakta hai ki MAGIC ka sabse mushkil aur khatarnaak MODE,ATTACH MODE issi amplification ke andar aata hai...

ab kyunki ye sabse important ampification hai toh zaahir hai ki isse use me laana bhi utna hi muskil hoga but kyunki ye aap sabki first class hai isiliye mai aapko iska ek mamuli par bohot hi useful part aaj batane aur sikhane waali hun....

jaisa ki aapko bataya gaya hai ki soul ki shakti brain,body aur blood se zyada hoti hai but ek sach ye bhi hai ki ye teeno shakti ke maadhyam hi soul ki shakti ko amplify karne ke kaam aate hain...

bina brain,body aur blood ke soul ki shakti aadhi ho jaati hai wahin in teeno ki moujudgi soul ki shakti ko mutiply kar dete hain aur aaj aap sab inhi teen chizon ke zariye se apne soul ki urja ko mehsoos karne ki koshish karenge...



ANTARAKA NIRUPAMA

SEARCH THE CORE


yahi hai wo spell jisse aap sabko uccharit karna hai...

but sabse pehle aapko jaisa ki aap sab ab tak karte aaye hain,apne apne Brain CEREBRATION ke process ko pause karna hai...

iske baad brain me dikhne waali urja ko aap sabko apne brain ko pehle body se aur fir blood se connect karna hai...

aur jaise hi ye teeno parts interconnect ho jaate hain,uske turant baad aapko bataya gaya spell ANTARAKA NIRUPAMA man me uccharit karna hai....

toh shuru karen...???


yes bol sabhi SAVENTS turant neeche baith gaye aur agle hi pal un sabki ankhen band ho chuki thi...

jaisa jaisa WHIZZ ne bataya tha waisa karne ke baad jaise hi sabke brains apne apne body aur blood se connect hue,toh sabhi ne man hi man ANTARAKA NIRUPAMA spell ko uccharit kiya aur aisa hote hi...

sabhi SAVENTS ke heart ke upar ek roshni chamki...ye roshni aur kuch nahi balki soul ki shakti ki ek choti si urja thi jisse mehsoos karte hi sabhi SAVENTS ko apne bheeter kaafi bhaar mehsoos hone laga but fir bhi sab lage rahe but fir kuch hi minutes me wo bhaar itna zyada ho gaya ki sabko lagne laga maano wo us bhaar ke neeche dab hi jaayenge aur isiliye sabki aankhen khul gayi...

sabhi lambi lambi saansen le rahe the maano din bhar doud lagayi ho...sabhi ka gala tak sukh gaya tha....

wahin sabko aankh kholte dekh...


VOILET-soul ka koi bhaar nahi hota but wo apne se jude har chiz ke wazan ko jitna chaahe badha ya ghata sakta hai aur abhi aapke saath usne wahi kiya...

SOUL AMPLIFICATION ki shuruat me apka sharir,aapka khoon aapke soul ke hisaab se kaam karta hai aur yahi aapka main task hai..

aap sabko us soul ke upar control paana hai jisse wo aapke hisaab se kaam kare...

jitna control aapka apne soul par hoga,utna zyada aap ATTACH MODE ko use me laa paayenge...

aaj ke liye itna hi...baaki kal ki class me...


ye bol WHIZZ class se nikal gayi..wahin SAVENTS ki haalat toh ab itni kharab ho chuki thi ki un sabne WHIZZ ki bas aadhi adhuri baat hi suni thi..

kuch der tak apni apni jagah par baithe rehne ke baad sabhi uthe aur dheere dheere apne apne destinations ki taraf chal pade....



PLACE-HEAVEN



AUR ISILIYE HI MAINE APNE BAAT KE AAGE AGAR LAGAYA HAI,WARNA MAI FAISLE PUCH KAR NAHI KARTA....

KUCH KAM REH SAKTA HAI,KUCH ZYADA REH SAKTA HAI,KINTU ASMODEUS KI BAATON ME ROUB HAMESHA PURA REHTA HAI..KYUN BHAI???


ye baat nikli thi VIKRAM ke mooh se jisse sun ASMODEUS muskura utha wahin ALESENDRA aur AVANTIKA toh bas VIKRAM ko ghure jaa rahi thi...

ASMODEUS-roub jhalke ya fir kuch aur..par jhalakaane ke liye bolna zaroori hota hai mere bhai....mujhe toh ye samajh me nahi aaya ki tumne un dono se baat kyun nahi ki...???

VIKRAM-issi baat ke liye toh meri biwi aur bhabhi mujhe aise ghur rahe hain....

ALESENDRA-jab hamare ghurne ke piche ka proyojan,hamara sawal aapko pata hai toh jawab bhi de dijiye...


jab un dono ne aap dono ke hi naam ka awahan kiya tha,toh aapne ASMODEUS se hi unhe baat karne ke liye kyun kaha jab ki aapko yeh bhi pata tha ki bhale hi un dono ne aap dono ko hi pukara tha,kintu baat wo sirf aapse karna chahte the...

jis stithi me wo dono the,us sthithi me unhe unke purane mitr se vaartalaap ki abhilasha thi....

VIKRAM-aur yahi wajah hai jiske liye maine unse baat nahi ki....unke liye mera bhai sirf PARMESHWAR PUTR hai aur isiliye wo apni maryada me the....

agar ASMODEUS ke saath mai unse baat karta toh unke nazariye se jo bhi galat hai, uspar bhi wo mujhse behes karte jo unka hakh bhi hai..

AVANTIKA-toh aap kabse behes se piche hatne lage....

MAI-har behes tark vitark se hi nahi jeeti jaati AV...khaas kar tab jab baat bhaawnao ki ho jisme aksar log sahi aur galat ka bhed bhul jaaya karte hain...

aur yahan toh bhavna DOSTI ki thi aur wo bhi sadiyon purane dosti ki....

jab itna purana dost aapse achanak alag ho jaaye,door chala jaaye toh taklif kartavyon ke bandhan ko bhi todne me samarthya rehti hai...


DOSTI...is shabd ko bolte waqt ek khaalipan dikha tha VIKRAM ki aankhon me jisse AVANTIKA ne bhaamp liya aur....


AVANTIKA-waise toh aapko samajhna bohot mushkil hai kintu abhi aapke dimag me jo chavi ubhri hai,mai us chavi ko samajh gayi hun...


mujhe dekh muskurate hue AVANTIKA ne apni baat kahi...


VIKRAMA-tum mujhe isiliye nahi samajh paati AV kyunki tumhare aur mere beech jo hai,PREM,usse samjha nahi bas kiya aur jiya jaata hai...

aur abhi tum mujhe isiliye samajh paayi kyunki mere man ne ussi prem ke dusre shabd DOSTI ko yaad kiya tha...

ALESENDRA-ye tum dono kis vishay me baat kar rahe ho aur VIKRAM kisse yaad kar raha hai???

AVANTIKA-wahi jo inki nazar me toh hain,par filhal pahunch me nahi....

jo inki aankhon me toh hain par nazaron ke saamne nahi.....

aise do shaksh jinhone khud apni nayi niyati likhi...

inke dost......


RONIT aur ANJALI.....







AAJ KE LIYE ITNA HI.....





AAPKA APNA V.J....
 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI SAVENTS KE CHAARON CLASSES SHURU HO CHUKE HAIN.


AB AAGE:-



CHAPTER-1


(UNFOLD THE RAAZ)



UPDATE-27



PLANET-ELYSIAN


PLACE-THE CHOSENS



1 MONTH LATER......



AADESHAM......

ARAMATI.......



SAVENTS ke AADESHAM bolte hi un sabke dimag se ek urja nikli par isse pehle ki wo urja unke sharir se baahar nikle,sabhi ne turant apne apne body aur blood ko feel karte hue ARAMATI jiska matlab STOP hota hai,usse uccharit kiya aur sabke aisa karte hi wo urja baahar naa nikal sabhi SAVENTS ke sharir aur khoon me mil gayi jisse un sabhi ko halka jhatka toh laga but zyada fark nahi pada...

filhal subah ka waqt hai...aur jaisa ki upar padhkar aapko pata chal gaya hoga ki aaj SAVENTS ke classes ko regularly chalte hue 1 month ho chuka hai aur in ek mahine me sabhi SAVENTS ke BRAIN, BODY aur BLOOD ke AMPLIFICATION me kaafi fark aa achuka hai...

jahan sabhike brains spells ke lagatar uccharan ke kaaran aur tez ho gaye hain wahin un sabke bodies bhi pehle se kaafi sakht ho chuke hain...

saath hi un sabke blood me bhi ek AURA ka nirman hone laga hai jiski wajah se sabhi SAVENTS ke sharir ke aage halka sa hi sahi but ek invisible natural shield banane laga tha....

jiski wajah se sabhi ka naa sirf defense strong hota jaa raha tha balki saath hi un sabke 6th sense ki shakti me bhi izafa hua tha...

filhal SAVENTS ka first class matlab BRAIN AMPLIFICATION chalu tha aur ab SAVENTS first MODE ANURODHAM nahi balki MAGIC ka second MODE joki COMMAND tha,usse use me laa rahe the...

aur yahi wajah thi un sabke seekhne ki speed ke rapid hone ki....

par kyunki ye magic ka second MODE tha,isiliye isme hone waala asar bhi zyada tha jiski wajah se ARAMATI kehne ke baad sabhi ke sharir aur khoon me halka tez jhatka laga....

par BODY aur BLOOD ke strong hone ki wajah se sabhi SAVENTS is jhatke ke asar se jaldi hi ubhar bhi chuke the....

wahin in sabke beech MAHI, ALFREEN aur MABEL,ye teeno hi kaafi aage nikal chuki thi...

jahan baaki sabhi BRAIN AMPLIFICATION ki class me 5 se 6 baar hi is use me laane waale procedure ki repeat kar paate the wahin ye teeno 10 se zyada baar aisa karne ke kaabil ban chuke the...

infact MAHI toh isse zyada bhi kar sakti thi but ALFREEN aur MABEL ki wajah se wo bhi bas itne baar hi attempt karti thi but ye baat ALFREEN, MABEL aur saath hi OPHILIA WHIZZ se chuppi nahi thi.....


OPHILIA-welldone SAVENTS....aap sabhi naa sirf COMMAND MODE ke through khudko amplify karne me kaamiyab ho rahe ho balki apni apni AMPLIFICATION ki speed ko bhi lagatar badhate jaa rahe ho...

and MAHI, ALFREEN, MABEL...i must say ki aap teeno ko jo second PHASE ke best group STELLARS me rehne ki liberty mili hai,aap teeno hi uske rightful hakdaar hain....

aap teeno hi apne brains ko jis tarah AMPLIFY karte aa rahe ho,wo sach me kaabile taarif hai....

SAVENTS-thank you WHIZZ....


sabhi SAVENT ne ye thank you bola tha jisse dekh...


OPHILIA-ACCHUTA,SLUNDER...jo bhi baatein maine kahi hain,ye baki sabke liye hai,bas aap dono ke liye nahi....

kyunki aap dono ka hi performance baaki sabhi SAVENTS ke mukable bohot weak hai....and this is not good for your future...

agar aapne jaldi hi khudko buckle up nahi kiya aur apne apne performance me nikhar nahi laaya toh next PHASE aap dono ke liye kaafi tough ho jaayega kyunki abhi jaisi aapki performance aapko us PHASE ke WEAKLINGS catagory me daal degi....

aur us catagory me aap dono ki life style bhi affected hogi...so you both better start focusing....


ACCHUTA dheere se-maar gayi...bina lu***d aur tel ke maar gayi hum dono ki GAA***D...saala,agar izzat utarni hi thi toh akele me utar leti lekin nahi,sabke saamne lene ka shouk chadha hai inhe toh...

SLUNDER-chup kar tu..kya galat kaha WHIZZ ne....baakiyon ke mukable humari performance weak hi toh hai...

aur sabke saamne unhone ye sab isiliye hi bola hai taaki hum embarace feel kare aur apne apne focus ko aur strong banaye...

ACCHUTA-ghante ka strong..yahan jhatka lag lag kar haalat kharab hui padi hai aur ye hume focus karne ko bol rahe hain....

paani ke andar haath pair baandh kar rakh dene ke baad koi bhala tair sakta hai kya...!!!

SLUNDER-jhatke sirf hum dono ko hi lagte hain kya..???baaki sabhi SAVENTS bhi same pain feel karte aa rahe hain but sirf hum hi hain jo aage nahi badh paa rahe...

ACCHUTA-beta mujhe pata tha..apne in asuri daanton ke piche tu WHIZZ ke liye laar chhupaye baitha hai...

tujhe unki baat galat kaise lag sakti hai....!!!

SLUNDER-chi chi chi...apne WHIZZ ke liye koi aisa bolta hai kya???saale,lagta hai WHIZZ ki baat se tera dimagi santulan hil gaya hai...

ACCHUTA- naam ke beech tu LU***D liye ghumta hai toh hil mera kaise sakta hai....???

tu hi hila bhai aur mera sikhaya yogasan karna mat bhuliyo....


ACCHUTA ki baat sun SLUNDER kuch bolne hi waala tha ki....


OPHILIA-so SAVENTS,aaj ki aapki ye class khatm hoti hai... but jaane se pehle aap sabke liye ek anouncement hai...

aapke first teeno classes se aap sabne khudme jo nikhar laaya hai,kal us nikhar ka first test hoga..

kehne ka matlab hai ki kal aap sabka ek chota sa exam hai jisme hum ye check karenge ki aap sab kitna sikhe hain...

so,guyzz,be prepped....


ye bol OPHILIA WHIZZ class se nikal gayi wahin unki baat sun puri class kaafi excited ho chuki thi....



BODY AMPLIFICATION CLASS



STHVIRA PHALAKA

STURDY LAYERS



SPELL uccharit karte hi jaisa pichle ek mahine se hota aa raha hai,aaj phir hua...

ek tez jhatka laga sabhi SAVENTS ko par kyunki ab sabhi ke body layers kaafi strong hone lage the, isiliye kisike bhi mooh se aah nahi nikli siway do SAVENTS ke...

arre wahi do.....hamare dono priya SAVENTS... ACCHUTA aur SLUNDER jinke mooh se halki si hi sahi par karah zaroor nikli jisse OMMIN WHIZZDER ne sun liya tha...

unhe bhi pata tha ki ye dono class ke sabse kamzor SAVENTS hain aur isiliye unhone zyada dhyan nahi diya...

wahin jhatka lagne ke kuch der baad sabhi ka CEREBRATION process wapas shuru ho gaya par aisa hone ke kuch der baad sabhi SAVENTS ne ek baar firse same prakriya repeat ki aur is baar wo sabhi khudke body ko jhatka lagne ke baad bhi kaafi der tak amplify karte rahe jisse dekh OMMIN WHIZZDER kaafi khush hue aur...


OMMIN-kal ke exam ke baare me toh aap sabko pata chal hi gaya hoga...

SAVENTS-yes WHIZZDER...

OMMIN-ummid karta hun ki aap sab usme apna best denge...aaj ki class yahi khatm karte hain...


ye bol OMMIN WHIZZDER bhi class se nikal gaye aur unke baad BLOOD AMPLIFICATION ki class shuru hui jisme bhi saare SAVENTS ne AURAVA VIBHUTIEN spell ko bohot ache se prayog me laate hue apne apne blood se milne waale AURA ko halka sa aur strong kiya aur is prakar aaj ki third class bhi samapt ho gayi...

aur ab baari thi SOUL AMPLIFICATION ki class ki..wo class jisme kisi bhi SAVENT ko abhi tak ek percent ka bhi success haasil nahi hua tha....


SOUL AMPLIFICATION CLASS...


VOILET-mujhe pata hai ki aap sabko is class me 1 mahine ho chuke hain...aap sabhi ne is ek mahine me bohot koshish ki hai apne apne task ko pura karne ki par abhi tak aap sab kaamiyab nahi hue hain...

aur is wajah se aap sabka motivation level bhi thoda down hai...but SAVENTS,jo aapke saath ho raha hai,ye aap se pehle ke sabhi SAVENTS ke saath hi chuka hai...

ATTACH MODE ko trigger karna bohot hi mushkil kaam hota hai... bohot saara waqt aur focus lagta hai isse 1 percent bhi activate karne ke liye...

fishing toh jaante hi honge aap sab...jaise fishing karte waqt ye baat nirdharit nahi hoti ki itna waqt lagega ek machli bhi pakadne me thik waisi hi SOUL AMPLIFICATION ki class bhi hai..

aap bas pure dhairya,focus aur determination ke saath lage rahiye,kaamiyabi zaroor milegi but kyunki kal aap sabka aapke first three AMPLIFICATION ka exam hai
isiliye aaj aap sabko is class se chutti milti hai... apne destinations me jaaiye aur rest kijiye...

kal aapko apni puri energy ki zaroorat padegi.....


MAHI-but WHIZZ,kamsekam ek baar toh try kar lete hain...


MAHI ki baat sun VIOLET muskura uthi.unhe bhi MAHI ke focus aur baakiyon se zyada sikhne ki chah ke baare me pata tha...


VIOLET- MAHI...tumhara lagan,sikhne ke prati tumhari lalak atulniya hai par kabhi kabhi ek break lena bhi zaroori hota hai...

aur khaas kar abhi jab tumhari urja ka tumhare bheetar rehna zyada zaroori hai...isiliye apne ABODE jaaiye aur apne mastishk ko purn viraam dijiye taaki kal wo aur ache se chal sake...

kal milte hain...


ye bol VIOLET WHIZZ class se nikal gaye... WHIZZ ke jaane ke baad sabhi SAVENTS bhi ek ek kar nikalne lage...

MABEL, ALFREEN aur MAHI bhi apne apne ABODES ki taraf chal pade...

kal in sabki pehli pariksha thi air isiliye ye apne apne rate SPELLS ke baare me disscuss karte hue jaa rahe the jiski wajah se ye sabse piche ho chuke the...

discuss karte karte jaate hue achanak MAHI ki nazar ek jagah padi par fir wo ALFREEN aur MABEL ke saath aage badh gayi....

kuch der chalne ke baad MABEL ka ABODE aa chuka tha jiske baad in dono ko bye bol wo apne ABODE ke andar chali gayi..

uske jaane ke baad ALFREEN ne bhi apne ghar jaane ke liye apne kadam aage badhaye par tabhi MAHI ne uska haath pakda aur...


MAHI-ghar nahi..hume pehle kahin aur chalna hai...

ALFREEN-kahin aur???kahan!!!

MAHI-chal...pata chal jaayega...


ye bol MAHI ALFREEN ke saath kuch der pehle jahan uski nazar padi thi,us taraf chal padi...



PLACE-CROSSWAY TO CHOSEN'S



WO,WO TOH RAAZ HAI NAA...!!!!


ye sawal nikla tha ALFREEN ke mooh se jisse sun...


MAHI-haan wahi hai..aur hum ussike paas jaa rahe hain...

ALFREEN-what!!!!but kyun????

MAHI-yaar,humne jo us din kiya tha,uske liye aunty aur uncle se sorry kaha tha but actual sorry toh hume RAAZ se hi maangi chahiye thi...

par itne dino me aisa koi mouka hi nahi aaya jab hum usse maafi maang saken...

but ye time perfect hai,chal jaakar usse apologize kar lete hain...

ALFREEN-arre chhod naa yaar...wo apne raaste aur hum apne fir kyun zabardasti usse chhedna...!!!

MAHI-AL,chedd hum usse already chuke hain aur ussi galti ki wajah se uncle aunty humse naaraz hue the..

aur jab galti ki hai toh maafi maangne me burayi hi kya hai....????

ALFREEN-burayi maafi maangne me nahi hai,balki uske baad jo hoga usme hai..

tu jaanti toh hai usse, ulti khoodi hai uski..jitni bhi sahi baat bolo,utna ulta matlab nikalta hai wo...

pata chala hum maafi maangne gaye aur usne fir kuch naya suna diya....

MAHI-arre aisa kuch nahi hoga...wo tabhi galat bolta hai jab koi usse kuch apne hisaab se karne ko kehta hai....

hum toh bas usse sorry bolne waale hain....sorry bolkar hum apne ABODE ke liye nikal jaayenge...

ALFREEN- pata nahi yaar but mera man nahi hai uski shakal dekhne ka....

MAHI-tu naa bas chup chaap chal......


ye bol MAHI ALFREEN ka haath pakad meri taraf badhne lagi wahin maine bhi un dono ko meri taraf aate dekh liya tha but fir maine apni nazaren ghuma li aur yunhi baitha raha.....


MAHI-hi RAAZ.....

MAI-kuch kaam tha!!!!


mere paas aate hi MAHI ke wish ke jawab me maine sidhe sawal kiya jisse sun MAHI halki si hadbada gayi wahin ALFREEN ne ek baar ghoor kar dekha mujhe...


MAHI-haan,wo hum tumse hamare us din ke behaviour aur harkat ke liye sorry bolna chahte hain...


MAHI ki baat sun mai bas uski taraf dekhta raha jispar...


MAHI-we are really sorry RAAZ..hume tumhare saath waisa nahi karma chahiye tha...


apni baat bol MAHI ne ALFREEN ka haath dabaya jispar....


ALFREEN-sorry....

MAI-sorry.....paanch alphabets ka ye shabd kya us wajah ko mita sakta hai jiski wajah se is shabd ka istemal karna pad raha hai...???


meri tark ko MAHI aur ALFREEN dono hi ache se samajh chuke the...

wo jaan gaye the ki mai us dard ki baat kar raha hun jo mujhe un dono ke current balls ke lagne se hua tha....


MAHI- RAAZ,hum apna past to nahi badal sakte but atleast we can make our present and future better right...!!!

MAI-DEEDS OF OUR PAST AUR THE CREATOR OF OUR FUTURE....


beete kal me kiye gaye hamare karm hi hamare bhavishya ka nirman karte hain...

ALFREEN-kehna kya chahte ho..!!!!jaisa humne tumhare saath kiya tha,waisa hi kuch tum bhi hamare saath karoge...

par kaise????

humne jo kiya aur jis tarah se kiya uske liye jis hunar ki zaroorat hoti hai,wo hai kya tumme????

tumne toh khud hi khudko INSTITUTION se nikal liya hai...and on the contrary we are the best SAVENTS of PHASE 1....

agar galti se bhi tumne humse ulajhne ki koshish ki toh jo pain tumne us din feel kiya tha,usse 10 times zyada feel karoge...


MAHI ALFREEN ko shaant karne ki koshish karti rahi par ALFREEN ne apni bhadas nikal hi di....


MAI-kamal hai...SORRY ka definition aisa bhi hi sakta hai,ye nahi pata tha mujhe....

baat maafi ki,pashchataap ki par bhaavna krodh ki....!!!

kya kaha tha tumne...!!!!!best SAVENTS!!!!

GHUSSA,NAFRAT ya fir aur koi bhi bhaavna ho, genuine honi chahiye.....itna sa hunar nahi hai tumne aur tum best SAVENT ho...????


meri baat sun ALFREEN ko kuch kehte nahi bana but fir bhi wo mujhe ghur ghur kar dekhti rahi wahin MAHI bina kuch kahe, ALFREEN ka haath pakda aur apne ABODE ki taraf nikalne lagi...


MAI-ek baat reh gayi hai....???wo bhi sunte jaao...????


meri awaaz sun dono ke kadam rook gaye aur agle hi pal dono meri taraf palat gaye...


MAI-jo dard mujhe us din tum tum dono ne diya aur agar aage bhi dene ka man kare toh wo dard sharirik hoga aur u
har sharirik dard ki ek samay seema hoti hai...

wo seema khatm,dard khatm par jis din maine tumhe dard diya,toh wo dard tumhe apne sharir ke pare bhi mehsoos hoga aur us dard ki koi samay seema nahi hogi....

aur isiliye hi maine us din bhi kaha tha aur aaj fir kehta hun ki.....

dobara waisa kuch karne ka dil kare,toh bada karna...

itna bada ki meri aankhen kuch aisi band hon ki dobara kabhi naa khulen kyunki agar aisa nahi hua toh....



aakhen band hon,
ya khuli,

sirf MAI DIKHUNGA.....

ek takdir tumhari
KHUDA ne likhi hai,

dusri MAI LIKHUNGA.....







AAJ KE LIYE ITNA HI.....




AAPKA APNA V.J...
 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF CHOSENS ME ACCHUTA AUR SLUNDER KO CHHOD BAAKI SABHI SAVENTS CLASSES ME EXCELL KAR RAHE HAIN WAHIN DUSRI TARAF INSTITUTION SE WAPAS AATE WAQT MAHI AUR ALFREEN KI RAAZ SE EK BAAR FIR SE BEHES HO JAATI HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-1


(UNFOLD THE RAAZ)



UPDATE-28



PLANET-ELYSIAN


PLACE-CHOSEN'S




ARRE TUM AB BHI USSI BAAT PAR ATKI HO VIOLET!!!ITNA WAQT BEET CHUKA HAI,AB TOH MAAN LO KI JO TUM SOCH RAHI THI,WAISA KUCH HAI HI NAHI....


subah ka waqt hai..is waqt OMMIN,NOX aur VIOLET PHASE 1 block ke beech bane ground me khade hain...

kisi baat ko lekar abhi in teeno ke beech kuch behes ho rahi thi aur jo shabd abhi nikle the,wo baat OMMIN ne kahi thi jiske baad NOX ne bhi uski baat ka samarthan kiya...

par iske baawjud VIOLET kisi gehri soch me doobi hui thi jisse dekh...


OMMIN-VIOLET,tumne,tumne kya hum chaaron ne hi tumhare kahe anusar sab kuch kar ke dekh liya par hamare saare prayas nirarthak hi rahe hain...

NOX-aur wo isiliye kyunki waisa kuch tha hi nahi....isiliye ab is mudde par purn viram lagao...


NOX ki baat khatm hone par VIOLET kuch kehne hi waali thi ki...


GOOD MORNING GUYZZZ...


ye OPHILIA WHIZZ thi jo muskurate hue in teeno ke paas aakar khadi ho gayi...


GOOD MORNING OPHILIA....


teeno ne hi OPHILIA ko greet kiya par OPHILIA ne VOILET ki awaaz se uski mano stithi ko bhaamp liya aur....


OPHILIA-dont tell me ki tu ab bhi wahin atki hui hai...arre chhod naa yaar...aisa kuch bhi nahi hai..tu bewajah itna tention le rahi hai aur tere chakkar me humne bhi itne dino tak wahi kiya tha but faayda kya hua...???

aur waise bhi,agar aisa kuch hota toh kya SOVEREIGN'S se aaj tak kuch chhupa hai bhala...!!!

VIOLET-par SOVEREIGN'S yahan hai hi nahi!!!

OPHILIA- ATAACH MODE ki master hokar tu aisi bina sir pair ki baat kar rahi hai..!!!

SOVEREIGN'S ko kuch bhi pata karne ke kiye yahan hone ki zaroorat nahi padti..tu jaisa soch rahi hai,uska 1 percent bhi sach hota toh SOVEREIGN'S kabka yahan aa bhi chuke hote aur us problem ki root ko hi ukhad phekte...

isiliye relax ho jaa aur un saare dimagi misconceptions ko bhul jaa......


GOOD MORNING WHIZZES....

GOOD MORNING WHIZZDERS.....


abhi koi kuch kehta ki usse pehle hi un chaaron ke kaano me ye awaaz padi jo ki MAHI, ALFREEN aur MABEL ki thi...


CHAARON-good morning SAVENTS...

OPHILIA-aaj aap teeno sabse pehle aa gaye...!!!!

MAHI-yes WHIZZ...but baaki sab SAVENTS bhi aa hi rahe hain...


MAHI ne aisa bola hi tha ki apne apne groups me hostlers aur discholars un sabko aate dikhe..

paas aate hi sabhi ne chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS ko greet kiya aur fir kuch hi der me sabhi SAVENTS 3,3 ki lines ki formation me khade ho chuke the...


OPHILIA-so SAVENTS..aapke is PHASE ka aaj first test hai...

are you all ready for it....!!!!

SAVENTS-yes WHIZZ....

OMMIN-good...toh chaliye,sabse pehle mai aapko ye batata hun ki aaj ka test hoga kaise...???? but usse pehle aaj ke test ka naam jaan lijiye....

SELF BRAWL....

ab ye bataiye ki SPELLS toh yaad karte hi rehte honge aap sab????

MABEL-yes WHIZZDER....aur ussi se related ek sawal bhi hai hum sabka...!!!

OMMIN-yahi naa ki yahan aane se pehle tak aap sab jab bhi kuch yaad karte the,toh usse memmorize karne ke process me kabhi bhi zyada waqt nahi lagta tha aur saath hi aapko aapka padha hua sab kuch hamesha yaad rehta tha but yahan aisa nahi ho raha hai....!!!!

ALFREEN-yes WHIZZDER....humne spells ki book ke saare SPELLS padh liye hain,but padhne ke baad kuch hi der tak saare spells yaad rehte hain,but fir apne aap bohot se spells hamare dimag se nikal jaate hain....

NOX-ye isiliye hota hai kyunki yahan aane se pehle jo bhi aap padhte the,wo aapke conscious brain me feed hota tha par yahan jo bhi aap padh rahe hain,usse process aur channelize karne ka kaam aapke subconscious brain ka hai...

jo bhi spells aap padhte hain,us spell ko uske asar ke saath aapka subconscious brain absorve karne ki koshish karta hai..

jitne power rupi spells ko aapka brain absorve kar paata hai,utna aapko yaad rehta hai baaki ka jo aapka brain reject kar deta hai,usse aap bhul jaate hain....

SAVENTS-WOW..... unbelievable...


hairan se hote hue sabhi SAVENTS ne WHIZZDERS ki baaton par react kiya jisse sun chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS muskura diye...


OPHILIA-kabhi humara bhi aap logon ki tarah hi reaction tha jab humne apne WHIZZES aur WHIZZDERS se ye sab jaana tha...

MAHI-toh kya hamesha aisa hi hota rehta hai..kya hum zyade spells ko ek saath memorize kar use me nahi laa sakte...????

VIOLET-bilkul laa sakte hain but iske liye abhi tak jis class me aap sab ground zero par hi hain,usme aap sabko excel karna padega....

SOUL AMPLIFICATION... agar aap sab apne apne soul ko 1 percent bhi amplify karne me kaamiyab ho paaye,toh aapko saare spells abhi se 10 times zyada naa sirf yaad rehne lagenge balki aap sab aur zyada asar aur power ke saath implify bhi kar paaoge....

VIOLET ki baat sun ek baar fir sabhi SAVENTS shocked hue..unme se kisi ko bhi is baat ka andaza nahi tha ki SOUL ke 1 percent ke amplification se bhi itna zyada power generate hota hai aur iske saath wo sab ye bhi samajh gaye ki kyun abhi tak unme se koi SOUL AMPLIFICATION ki class me thoda sa bhi success haasil nahi kar paaya hai...

it was damn tough jisse sabme seriously toh liya tha par utna nahi jitna lena chahiye tha...

sabhi yahi sab soch rahe the ki....


OMMIN-SPELLS ko yaad karne ki baat maine isiliye kahi kyunki jitne bhi spells aapko yaad hain,aaj ussise aap apne apne test ko clear kar paaoge....

aaj aapke kul 3 test honge..pehla brain ka,dusra body ka aur teesra blood ka...

but jaisa ki aap sab jaante hain ki brain,body aur blood interconnected hain toh isiliye ye teeno test alag alag nahi balki merge hote hue ek saath honge....

toh hoga ye ki individually aap ek ek karke is ground ke beech me aaoge...

fir hum aapke saamne brain,body aur blood teeno ko ek saath use me laane waala ek challenge aapko denge jisse aapko tackle karna hai...

so first, make a line....


OMMIN ke aisa kehte hi sabhi SAVENTS turant line formation me lag gaye but jahan baaki sabhi SAVENTS jitna ho sake,piche khade hona chahte the taaki pehle bakiyon ke task aur performance ko dekh kar sikh saken wahin MAHI, ALFREEN aur MABEL khudhi sabse pehle jaakar khade ho gaye...

wahin ACCHUTA aur SLUNDER toh sabse aakhri me latak gaye the yaa fir ye kahun ki un dono ne khudhi khudko sabse piche rakh liya tha...

line formation ke hisaab se sabse aage MABEL thi aur isiliye...


OPHILIA- MABEL..aage aayiye aur yahan marked jagah par khade ho jaaiye...

jahan line bani thi,wahan se thoda aage right side par jo ki ground ke mid part tha,ek circle bana hua tha jahan OPHILIA ne MABEL se khade hone ke liye kaha tha...


MAHI/ALFREEN-all the best.....


MABEL ke aage badhte hi uske piche khade in dono ne usse wish kiya jispar...

MABEL-thanks.....


muskurate hue MABEL ne kaha aur aage badh us circle me khadi ho gayi....


OPHILIA-SAVENT..jis circle me aap khade hain,wo koi maamuli circle nahi hai balki ek powermark hai...

aapki shakti,aapka hunar is circle me aane ke baad ek tarah se copy ho jaata hai aur fir ye hota hai....


DAMOPETA SAVGARA SHAKTIYEM

ENDOWED CAPABILITY OF MIXED POWERS


haath aage kar OPHILIA WHIZZ ne is SPELL ko uccharit kiya aur unke aisa karte hi...

jis circle me MABEL khadi thi,wo jagah halki dolne lagi aur uske saath hi MABEL ka sharir bhi idhar udhar hilne laga par ye bas kuch palon ke liye hi tha...

kuch hi seconds me us jagah ka dolna band ho gaya jisse MABEL ka body bhi sthir ho chuka tha but tabhi...

CHHHH........

aag ke jalne ki awaaz liye ek roshni ka bada sa ray us circle ke chaaron taraf se baahar nikla aur thik MABEL ke saamne aakar hawa me theher gaya...

achanak is nayi chiz ko hote dekh MABEL hadbada si gayi..abhi wo is nayi ghatna ko samajhne ki koshish kar hi rahi thi ki tabhi...

us badi si ray ne khud ko vibhajit kiya aur teen hisso me bat gayi...

MABEL in teeno hisso ko dekh hi rahi thi ki tabhi...

soobh....

hawa ko cheerne ki awaaz liye right taraf ki ray light speed se aakar MABEL se takrayi aur aisa hote hi....

AHHHH......

dard bhari karah ke saath MABEL ka sharir hawa me lehrata hua piche ki taraf uda par fir....

DHAAMMMMM.....

is awaaz ke saath ek nayi cheez hui jisse dekh piche khade sabhi SAVENTS shocked ho gaye....

toh hua ke ray ke takrane se hawa me piche ki taraf udta hua MABEL ka sharir ek point par aakar khud hi rook gaya aur fir wapas ek jhatka sa khaata hua aage ki taraf aaya aur fir ussi circle me dhaamm ki awaaz ke saath gir pada...

aisa laga maano MABEL ke sharir ko ek adrishya chain se baandha gaya hai jisne ek limit tak door pahunchne ke baad usse wapas point zero me khinch liya hai...

SAVENTS toh hairan the hi par unse zyada hairan MABEL thi aur aankhon me ussi aascharya ke bhaav ko liye wo saamne chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS ko dekhne lagi....


OPHILIA-kya hua MABEL...!!!!!ye soch rahi ho ki jhatka jab tumhe baahar laga toh taklif andar se kyun hui....???

MABEL-YES WHIZZ....

OPHILIA-jis ray ne tumhe jhatka diya wo ray koi baahari shakti nahi balki tumhare sharir ki wo urja hai jisse tum ab tak BODY AMPLIFICATION ki class me ab tak trigger kar paayi ho..

infact jo baaki dono rays hain,unme se ek tumhare brain ki urja aur dusri tumhari blood ki urja hai jo ab tak amplified hue hain...

kyunki abhi tumhe tumhari body ke ray ne chhua tha ,isiliye tumhe tumhare andruni sharir par taklif mehsoos hui hai...

thik ussi tarah jab tumhe tumhari brain ki urja touch karegi toh tumhe brain me aur jab blood ki urja touch karegi toh blood me jhatke lagenge....


OPHILIA WHIZZ ki baat sun ek baar firse MABEL aur baakis sabhi SAVENTS shocked ho gaye the...

test aisa bhi hoga,ye unmese kisi ne bhi nahi socha tha...unhe kisi aur ko nahi balki khud hi ke ab tak kiye mehnet ko tackle karna tha...

but sawal ab ye tha ki HOW...???wo ye karenge kaise?????


MABEL is baare me puchne hi waali thi ki...


OPHILIA-ye teeno rays tumhare brain,body aur blood se hi bane hain...

toh tumhe karna ye hai ki jab jo ray tumhe chunne ko aage badhe,tumhe uske source se usse connect karna hai...

kehne ka matlab hai ko agar BODY RAY tumhe chune ko aage badhe toh tumhe apne body ko apne blood aur brain se jod observe karne waala spell bolna hai..

wahin agar tumhari BRAIN RAY tumhe chune ko aage badhe toh tumhe apne brain ko apne body aur blood se jod observe karne waala spell uccharit karna hai and same goes for blood too...

point bas ye hai ki tumhare paas jo bhi ray aaye,uske source ko aage rakh tumhe baaki dono sources se jod absorve karne waala koi ek spell bolna hai but yaad rahe,ye itna asaan nahi hone waala...

kyunki tumne ab tak jo bhi sikha hai,ab wo tumhare andar nahi balki tumhare saamne tumhare challenge ke roop me khada hai..

toh is challenge ko successfully handle karne ke liye tumhare paas kewal tumhara focus aur confidence hai but in dono ko hi tumhare ye rays dheere dheere todenge but agar tab bhi tum puri concentration ke saath lagi rahi toh shayad kaamiyab ho jaao...

aur haan,agar koi aisa waqt aaya jab tumhe lage ki tum is test ko jeet nahi sakti toh apna haath utha,I GIVE UP bol dena...

kyunki agar lagatar ye urja rays tumhe lagte rahe toh waise bhi ek waqt ke baad tumhare sharir ki sehen shakti jawab de degi aur tum neeche gir jaaogi jiska matlab bhi give up karna hi hoga....

so,are you ready...???


MABEL-YES WHIZZ....


ek lambi saans chhodte hue MABEL ne kaha aur unke aisa kehte hi.....

soobh.....

ek baar firse hawa ko cheerte hue ek ray jo ki asal me MABEL ke brain ki urja thi, light speed se aage badhi aur isse pehle ki MABEL kuch soch paati.....

wo urja usse lag chuki thi jiske baad wahi hua jo last time hua tha...

brain me jhatka sa laga MABEL ke jiski wajah se ek karah ke saath us ka sharir hawa me piche ki taraf udta hua gaya par fir ek point par pahunch wapas jhatka sa khaate hue aage ki taraf badha aur agle hi pal dhamm ki awaaz ke saath MABEL ussi circle me giri padi thi....


MAHI-concentrate kar MABEL...you can do it....


peeche se chillate hue MAHI ne kaha jisse sun MABEL dheere dheere wapas khadi hui....

MABEL ke liye sabse mushkil tha waqt....

apne kisi bhi part ko baaki do parts se jodne ke liye thoda toh waqt chahiye hota hai aur MABEL ke paas wahi nahi tha....

par ab karna toh tha hi aur isiliye is baar MABEL ne uththe hi apne blood par focus kiya aur tabhi...

soobh.....

ek baar firse un teeno rays me se ek ray jo ki BODY ray thi,aage badhi aur MABEL ko touch hui jiske baad same procedure repeat hua...

MABEL ki dard bhari karah,uske sharir ka hawa me piche jaana aur fir aage aakar ussi circle me gir jaana..

par is baat MABEL ko dard ke saath hairani bhi hui kyunki usse laga tha ki brain aur body ke baad ab blood ray aage aayegi but hua ulta tha....


MABEL ke is hairani ko chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS bhi pehchaan gaye the isiliye....


OPHILIA-ye teeno ray tumhare hi hain MABEL aur isiliye tum kis chiz par concentrate kar rahi ho,is baat ko ye teeno pehechante hain...


OPHILIA WHIZZ ki baat sun MABEL aur saath hi baaki sabhi SAVENTS hairan bhi hue aur saath hi,thode dar bhi gaye...

ab jab aapke dushman ko aapke mooves maalum ho,toh dar toh lagega hi....

aur saath hi sabko ye bhi pata chal gaya tha ki is test ka naam SELF BRAWL kyun rakha gaya hai...


NOX-focus MABEL....theres always a way out....


NOX ki baat sun MABEL ne ek baar apni aankhen band ki aur kuch der tak saare ganit lagate rahi aur fir kuch soch uski aankhen khul gayi aur uske agle hi pal....

SOOBH..SOOBH....SOOBH.....


is baar ek nahi,do nahi balki wo teeno rays hi aage badhi aur aage badhte hue ek saath MABEL ko chhu liya jisse jaisa hote aaya tha,ek baar firse hua aur jaise hi MABEL waapas us circle me giri toh aakhon me hairani liye wo WHIZZES aur WHIZZDERS ko dekhne lagi jispar...


OMMIN-tumne apne brain,body aur blood teeno par ek saath dhyan diya tha naa....!!!

ALFREEN- yes WHIZZDER...

MABEL-tumhari soch tumhare urja ne copy kar li..aur isiliye teeno ek saath aage badhi jisse tum hadbada gayi kyunki tumne aisa kuch expect nahi kiya tha....


iske baad MABEL ne ek ke baad ek kayi tarike aazmaye un teeno rays se tackle karne ke par unfortunately koi bhi tarika kaam nahi aaya....

aur jaisa ki OPHILIA WHIZZ ne kaha tha,apni shakti ki aakhri hadh pahunchne par bhi agar kamiyab nahi ho paaye toh haath uthakar I GIVE UP bol dena aur agar aisa nahi bhi kiya toh tumhari body automatically give up kar neeche gir hi jaayegi...

aur ab waisa hi hua...itne saare jhatke lagne se MABEL ki body apni sehen shakti ki limit touch kar chuki thi par phir bhi jab MABEL ne give up nahi bola toh wo lehra kar neche gir gayi jiska matlab bhi wahi tha...

GIVE UP....

MABEL ke neeche girte hi uski teeno rays turant aage badhi aur MABEL me sama gayi air aisa hote hi MABEL ki chetna lout aayi....

kamzori toh usse ab bhi lag rahi thi but urja ke loutne ke baad uske brain,body aur blood ki amplifying powers lout aayi thi aur issi wajah se wo jald hi recover hone lagi thi...


OPHILIA-unfortinately aap apne is test me paas nahi ho paayi MABEL par aapki dridhta sach me kaabile taarif hai...aapki puri shakti khatm ho chuki thi par aapne haar nahi maani thi and that ATTITUDE is really commendable...

jaaiye,wahan khade ho jaaiye.....


OPHILIA ne MABEL se ek dusri jagah khade rehne ko kaha...

test ke baad khade hone waali jagah thi ye jahan kandhe jhuka sad hote hue jaakar MABEL khadi ho gayi....


OPHILIA-are you ready ALFREEN....????

ALFREEN- yes WHIZZ...


MABEL ke baad ALFREEN aage badhte hue us circle me khadi ho chuki thi jiske baad OPHILIA WHIZZ ne usse age badhne ke liye confirmation maangi aur ALFREEN ke yes bolte hi.....


DAMOPETA SAVGARA SHAKTIYEM

ENDOWED CAPABILITY OF MIXED POWERS


test me use aane waale spell OPHILIA ne uccharit kiya jiske baad jo MABEL ke time hua tha,wahi ALFREEN ke waqt bhi hua aur jo result MABEL ka nikla tha,wahi ALFREEN ka bhi nikla...

lagatar bohot se koshishon ke baad bhi jab naa toh ALFREEN un rays ko absorve karne me kaamiyab hui aur naahi usne haar maani tog aakhir me wo bhi MABEL ki hi tarah
neeche gir gayi jiske baad uski teeno rays uske body me sama gayi aur fir wo bhi uthkar muh latkate hue MABEL ke baaju me jaakar khadi ho gayi....


MABEL aur ALFREEN PHASE 1 ke best teen students me se the aur jab un dono ki wo haalat hui toh usse dekh baaki sabhi SAVENTS ki phatne lagi thi...

test shuru hone se pehle unka jo confidence sky high tha,ab wo zamin ke andar dhas chuka tha aur is haalat ko top kar rahe the,hamare ACCHUTA aur SLUNDER...


ACCHUTA-yaar, mai toh bolta hun ki chupke se nikal lete hain...waise bhi hum dono last me khade hain...kisiko kya pata chalega....???

SLUNDER-abbe ye hamare planets ka koi normal school hai kya...??? WHIZZES aur WHIZZDERS ko hum SAVENTS ko dekhne ke liye aankhon ki zaroorat nai padti....

ACCHUTA-haan bhai... bina dekhe hi ye hume dekh lete hain aur bina maare bhi hamari GA**D maar lete hain...


ACHHUTA aur SLUNDER ki hi tarah baaki sabhi SAVENTS bhi kuch naa kuch negetive baat hi kar rahe the sivaay MAHI ke jo lagatar MABEL aur ALFREEN ke performance ko bade dhyan se dekh aur samajh rahi thi aur ab baari ussiki thi aur isiliye wo aage badh us circle me khadi ho gayi....


OPHILIA-READY SAVENT...???

MAHI-ALWAYS......


MAHI ke jawab ko sun OPHILIA WHIZZ aur baaki teeno bhi has diye aur fir


DAMOPETA SAVGARA SHAKTIYEM

ENDOWED CAPABILITY OF MIXED POWERS


WHIZZ ke spell bolte hi us circle waali jagah ke kuch der hilne ke baad MAHI ke BRAIN,BODY aur BLOOD se bane rays uske saamne aakar rook gaye....

aur agle hi pal...

SOOBH.....

hawa ka chirta hua BRAIN RAY aage badha aur lightning speed se MAHI se takraya jisse MAHI udte hue pehle piche aur fir aage aayi aur is circle me gir gayi par girne ke agle hi pal wo khade bhi ho gayi thi...

jahan pure utsah se SAVENTS aur unke saath chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS MAHI ke performance ko dekh rahe the,wahin MAHI ki nazaren kuch confirm karne ki koshish kar rahi thi...

par issi beech...

SOOBHHH...

same procedure repeat hua...ek ray ka aana, MAHI se takrana, MAHI ke body ka pehle piche aur fir aage udte hue aana aur circle me girna...

aur ye procedure ek nahi do nahi balki 15 se 16 baar repeat hua jisse dekh sabhi SAVENTS aur chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS bhi shocked the...

reason.....

is pure daur me MAHI ne kuch bhi karne ki koshish tak nahi ki thi...

wo bas chup chaap khadi thi..

par itne jhatke lagne ke baad ab uske sharir ki limit bhi apne hadh tak pahunch chuki thi...

sabhi ko pata tha ki agla jhatka MAHI ka aakhri hone wala hai..

jo utsah chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS ka MAHI ke performance ko lekar tha,wo khatm ho chuka tha..

wo sab bhi ALFREEN aur MABEL ki hi tarah MAHI ke niche girne ka intazar karne lage aur issi dauran...

SOOBH....SOOBH......


ek saath do awaazen hui jisse sun aur dekh sabhi shocked ho gaye the...

aur wo isiliye kyunki ye dono awaaz do rays ki nahi balki ek ray jo ki brain ray thi,uski thi aur dusri awaaz khud MAHI ki thi jo ray ke ustak pahunchne se pehle hi uski taraf ucchal gayi thi....

aur tabhi......


PRATIPARAYALATI...

OBSERVE......


hawa me aage badhti hui MAHI ne apne brain ko apne body aur blood se jodte hue is spell ko uccharit kiya jiske baad....

MAHI jo hawa me hi thi,uske chaaron taraf roshni si fail gayi aur kuch der baad jab wo roshni ghati toh MAHI neeche zamin par khadi thi..

wo teeno rays gayab ho chuke the ya fir ye kahun ki wapas MAHI me sama chuke the....

wahin ye sab hota dekh sabhi SAVENTS aur saath hi chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS apne apne chehron par aascharya aur khushi ke mishran liye khade the...

MABEL aur ALFREEN toh turant aage badhe aur MAHI ke gale lag gaye...


MABEL- unbelievable MAHI.... absolutely magical babes....but how....????


MAHI kuch kehti ki tabhi....


OPHILIA- MAHI, brilliant....but filhal baaki sabhi SAVENTS ke test baaki hain aur isiliye filhal aap teeno jaakar apni jagah par khade ho jaaiye...


OPHILIA WHIZZ ki baat sun wo teeno apni jagah par jaakar khadi ho gayi wahi fir ek ke baad ek sabhi SAVENTS aage aate gaye aur 3 ya 4 attempts me hi I GIVE UP bol fail hote rahe...

sirf 2 ya 3 SAVENTS aise the jinhone MABEL aur ALFREEN ki hi tarah mooh se bolkar haar nahi maani balki aakhri me niche girne ki wajah se unki haar hui...

issi tarah aakhri me baari aayi ACCHUTA aur SLUNDER ki...

jab baari ACCHUTA ki aayi toh pehle hi jhatke ke baad usne turant I GIVE UP bol diya..is par jab chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS ne uski taraf sawal bhari drishti se dekha toh...


ACCHUTA- sir salamat toh pagdi hazar...


is quote ko bol wo side hat gaya..


ACCHUTA ki baat sun chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS aur saath hi sabhi SAVENTS bhi has diye....

wahin ACCHUTA ke baad aayi last SAVENT matlab SLUNDER ki baari jisne kul teen baar try kiya...

aisa nahi hai ki teen baar attempt karne ke baad SLUNDER ne I GIVE UP bol diya tha balki teesre attempt me jo jhatka usse laga tha,uske baad wo utha hi nahi jiske baad wo bhi disqualify ho chuka tha...


FIRST BRAWL naam ka ye test ab khatm ho chuka tha jiski clear winner thi MAHI aur isiliye...


VIOLET-idhar aayiye MAHI....


saare SAVENTS ab ek saath khade the aur tab abhi hue test ki winner ko VIOLET ne pukara jiske baad MAHI aage badh unke saamne khadi ho gayi...

MAHI ke dono shoulders ko proudly thapthapate hue VIOLET ne usse SAVENTS ki taraf ghumaya aur...


VIOLET-verybody..a big round of applause for MAHI...


WHIZZ ke aisa bolte hi sabhi SAVENTS zoro shoro se taali bajane lage aur in sabme sabse tez taali MABEL aur khaas kar ALFREEN baja rahi thi...


ALFREEN ko toh aisa lag raha tha maano MAHI nahi,wo is test me jeeti ho....

wahin SAVENTS ke saath saath chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS ne bhi clapping ki...


VIOLET- SAVENTS...hume pata hai ki jitna aap apne PHASEMATE ke is test me winner hone se khush hai,andar se khud ki naakami par utne hi sad bhi hain..

but sad feel karne ki koi zaroorat nahi hai...aur wo isiliye kyunki aap sab ki hi tarah kabhi hum chaaron ne bhi ye test diya tha aur hum bhi fail hue the...

infact CHOSENS ke 25 thousand ke itihas me MAHI se pehle sirf 4 hi aisa SAVENTS rahe hain jinhone SELF BRAWL ke is test ko paas kiya hai...

unme chaaron me se 2 filhal PHASE 2 me hain aur baaki ke do SAVENTS wo hain jinhone ATTACH MODE par sabse zyada dakshata paayi thi...

jo is INSTITUTION ke ab tak ke best SAVENTS rahe hain....


WHIZZ ki baat sun sabhi SAVENTS including MAHI behad shocked ho gaye the..

MAHI ko toh yakin nahi ho raha tha ki usne itni badi achievement ki hai....


VIOLET-waise MAHI ek baat batao...???how did u do it...???

tum apne test ke dauran pure waqt chup chaap khadi rahi but fir aakhri me ekdum se tumne aage ki taraf chalang lagayi....

aur ek baar me hi apne urjaon ko OBSERVE bhi kar liya...!!!!

MAHI-actually WHIZZ, MABEL aur ALFREEN ke test ke dauran meri nazar unki urjaon par thi..

dhyan se dekhne par mujhe aisa lag raha tha maano un teeno urjaon me se jo urja aage badhti hai,wo badhne se pehle halki vibrate hoti hai....

par mai sure nahi ho paa rahi thi kyunki wo vibrations behad halki thi jo mera vehem bhi saabit ho sakti thi aur isiliye hi jab meri baari aayi toh mai bas khade khade un urjaon ko dekh rahi thi...

itna toh mujhe pata chal hi gaya tha ki ek baar wo urja aage badh gayi toh uski speed itni zyada thi ki usse naa toh bacha jaa sakta tha aur naahi apne brain, body aur blood ko jodne ki kriya puri ki jaa sakti thi..

but agar mera shak sahi nikalta,toh fir mujhe 1 second ka time mil jaata kyunki itna waqt wo urja leti thi vibrate hone ke baad aage badhne ke liye...

par ye sab time taking kaam tha aur issi wajah se mujhe kaafi saare jhatke sehne pade par is beech mera shak yakin me badal gaya aur fir jaise hi brain waali urja me vibrations hue,maine ussi douran apne brain ko body aur blood se joda aur aage jump laga di....


VIOLET-brilliant....we are very proud of the fact that you are our SAVENT....

agar tum apna focus issi tarah banaye rakhogi toh i am damn sure ki ek din tum is INSTITUTION ke best SAVENTS ki list me me apna naam darj karwaogi infact ye bhi ho sakta hai ki SOUL AMPLIFICATION ka jo record hai,you would be able to even break that...


MAHI- WHIZZ,kya mai jaan sakti hun ki SOUL AMPLIFICATION ko trigger karne ka record kitna hai...????

VIOLET-30 PERCENT....aur yakin maano 30 percent tak soul amplification ko trigger karna ek mountain ko apne haath se uthane se bhi zyada mushkil hota hai...

agar teeno PHASE ke saare WHIZZ aur WHIZZDERS ek saath milkar bhi kisi 30 percent SOUL AMPLIFICATION karne waale se competition karen toh shayad hum sab uske saamne 1 minute bhi naa tik paayen...!!!!


30 percent SOUL AMPLIFICATION ki taakat jaankar sabhi SAVENTS shocked reh gaye the....


MAHI- WHIZZ,kya naam hai un SAVENTS ka jo itne talented hain ki apne SOUL AMPLIFICATION ko itna zyada trigger kar paaye!!!!....


VOILET-DORIAN & GASTON......


(wo do log jinhone ACCHUTA aur SLUNDER ke mom dad ko mout jaisi neend me sulaya hai...)


(4612 words)






AAJ KE LIYE ITNA HI....




AAPKA APNA V...J.....
 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI SELF BRAWL KE TEST ME NEW BORNS ME BAS EK MAHI HI PAAS HO PAATI HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-1


(UNFOLD THE RAAZ)



UPDATE-29



PLANET-ELYSIAN


PLACE-THE CHOSEN'S




ACCHUTA,SLUNDER...ZARA BAAHAR AAYIYE....


NOX aisa kehkar class se baahar nikal gaye wahin ACCHUTA aur SLUNDER bhi unke peeche peeche class se baahar aa gaye....

subah ka waqt hai....ab tak teen classes khatm ho chuke hain....teeno hi classes ke dauran sabhi SAVENTS pure concentration ke saath focus kar rahe the siway ACCHUTA aur SLUNDER ke jisse teeno hi WHIZZDERS aur WHIZZ ne dekha tha...

waise toh ACCHUTA aur SLUNDER baaki sabhi SAVENTS se piche the but fir bhi wo classes me pura dhyan dete the but aaj aisa nahi tha aur isiliye hi teesri class khatm hote hi NOX ne un dono ko baahar bulaya...


NOX-kya baat hai SLUNDER, ACHHUTA???aaj kisi bhi class me tumhara dhyan nahi tha...

SLUNDER-nahi sir,aisi koi baat nahi hai....

NOX-DORIAN, GASTON....inhi dono ki wajah se tum dono upset ho naa....!!!


NOX ki baat sun SLUNDER aur ACCHUTA ne pehle hairani se uski taraf dekha but fir kuch der baad dono ke hi aankhen halki bhar gayi.....


SLUNDER-aapko hamare maata pitah ke saath jo hua,uske baare me pata hai????

NOX- tum dono CHOSEN'S me padhte ho...aur jisne tum dono ke maata pitah ke saath dushkarm kiye,wo bhi yahin ke SAVENTS padh chuke hain...

aur wo bhi ab tak ke sabse kaamiyab SAVENTS...aise me aisi koi ghatna kaise chuppi reh sakti hai...

mai hi kya,is INSTITUTION ke har PHASE ke sabhi WHIZZES aur WHIZZDERS ko is baare me pata bhi hai aur khed bhi.....

acchayi aur burai,ye dono hi shrishti ke aur khaas kar CHOSENS ke abhinn ang hain kintu yahan se nikli burayi aisa kuch bhi kar sakti hai,ye kisine bhi nahi socha tha....

ACCHUTA-par phir bhi kal un do monsters ke baare me batate waqt VIOLET WHIZZ aur aap sabhi ke chehron par garv the...!!!!

NOX-hume unpar nahi,unke achievements par garv hai...haan, ye sach hai ki jo rasta un dono ne chune hai,wo galat hai..

jo in dono ne tumhare parivaar ke saath kiya hai,wo naakabile bardasht hai kintu in sabhi chizon se ye satya nahi badal sakta ki wo dono hi is INSTITUTION ke ab tak ke sabse successful SAVENTS hain....

aur hume us success par garv hai..kal tum sabke saamne us kaamiyabi ko garvanit hokar batane ki mansha bas itni thi ki us achievement se prerit hokar tum sab bhi wahi kamiyabi haasil karne ki koshish karo....

khud ko apni kalpanao se bhi adhik samarth banao....

ye toh suna hi hoga tum dono ne ki heera hi heere ko kaathatha hai...

thik ussi prakar dakshta,sampurnata hi un dono ke haasil kiye achievements ko kaat sakta hai....

khudko itna kaabil banao ki ei din unke diye ghaav ko puri tarah bhar sako...

mujhe pata hai ki tum dono apne mata pitah ka upchaar kaise ho sakta hai,iske baare me jaante ho aur isiliye hi tumne library se FORBIDDEN FOREST ki book li hai....

kintu vidhi jaanana aur us vidhi ke anusandhan karne me fark hota hai....tumhare maata pitah ke upchar ke liye jo chahiye,wo jahan hain wahan tak koi pahunch nahi paaya hai par iska ye matlab nahi hai ki kabhi koi nahi pahunchega...

dridh nischay ke aage badi se badi rukawat bhi raasta chhod deti hai....

agar tum wahan pahunchna chahte ho toh tumhe mehnet karni hogi aur wo mehnet bina focus ke nahin ki jaa sakti isiliye apne apne chit ko shaant karo aur classes me focus karna sikho...

apni bhavnaaon par niyantran rakho kyunki bhawnao par niyantran rakhna soul amplification tak ko trigger karne me madad karta hai....


YE KYA BAAT HUI NOX...???AAP TOH PHASE 2 ME SIKHAYI JAANE WAALI ATTI MAHATPURV VIDHYA KE BAARE ME BATA RAHE HAIN JO UCHIT NAHI...


ye awaaz thi VIOLET WHIZZ ki jo apni class ke liye pahunchi thi aur tabhi unke kaano me NOX ki kahi baat sunayi padi thi....


NOX-ab agar sacchayi vidhya ki bhi kadi nikle toh isme koi kya kar sakta hai VIOLET....

mai toh bas in dono ko samjha raha tha ki nirashavaadi hokar inhe koi laabh nahi hoga...


VIOLET-haan SAVENTS...jo aap dono ke saath hua,usse badla toh nahi jaa sakta par un haalaat ko palta zaroor jaa sakta hai..

jis nischay ko liye aap dono is INSTITUTION me aaye ho,ussipar apna sampurn dhyan kendrit karo,dekhna,sab kuch thik ho jaayega...


WHIZZ ki baat sun ACCHUTA aur SLUNDER ne haan me apni gardan hilayi...


VIOLET-aap dono class me jaaiye......mai aati hun....


VIOLET WHIZZ ke aisa bolte hi SLUNDER aur ACCHUTA dono hi class ki taraf chal pade...


NOX-toh fir kya socha tumne...???

VIOLET-NIRSAYATI KAROTI....

EJECT


NOX ke kehne ke turant baad VIOLET ne is SPELL ko uccharit kiya jiske baad NOX ke sharir ke upar se ek ray nikal kar gayab ho gayi...


same chiz OPHILIA aur OMMIN ke saath bhi hua tha....

wahin ray ke nikalte hi NOX ne ek gehri saans chhodi aur....


NOX-chalo,kamsekam tumne hamari baat maan toh li....


NOX ke baat par VIOLET muskurate hue apni class ki taraf chal di....




SOUL AMPLIFICATION CLASS...




KISI BHI TEST ME JEET HO YAA HAAR.... HAR TEST KUCH NAA KUCH ZAROOR SIKHA JAATA HAI...

TOH FIR,KYA SIKHA KAL AAP SABNE APNE TEST ME...????


greet ke aadan pradan ke baad VIOLET WHIZZ ne sabhi SAVENTS se ye sawal kiya jispar...


MABEL-yahi ki there's always a way out....bhale hi koi kaam kitna hi kathin kyun naa ho,usse successfully operate karne ka koi naa koi tarika zaroor hota hai...

zaroorat hai toh bas us nazar ki jo us raaste ko dekh sake....

VIOLET-bilkul sahi...aap sabme aur MAHI me bas kal us nazariye ka fark tha aur kuch nahi...

jahan aap sab ki nazar un rays ki speed ke upar thi wahin MAHI ki nazar un rays ke tezi pakadne se pehle ho rahi vibrations par thi...

kehne ka arth bas ye hai ki jiski nazar jitni door tak jaati hai,uska lakshya utna hi clear ho jaata hai....

got it???

SAVENTS-yes WHIZZ....

VIOLET-good..toh ab aapko wahi doordarshita jo MAHI ne kal dikhayi aur ab aap sabne samjhi, usse use me laana hai...

kal ka test toh khatm ho gaya par SOUL ko AMPLIFY karne ka test abhi chalu hai aur ye hamesha chalta hi rahega....

toh chaliye, aaj ki class shuru karte hain...


VIOLET ke aisa kehte hi sabhi SAVENTS apni apni jagah baith gaye...

waise toh sabhi kaafi charged up the but kal ke test ke baad MAHI ka confidence ek alag hi level par tha..

aur iski wajah sirf kal uske test ko paas karne ka nahi tha,balki ye jaanane ke baad ki yahan ke best SAVENTS ne hi sirf us test ko clear kiya hai,aur ab wo bhi unme se ek ho chuki hai,ye jaan uski khudko lekar responsibility aur badhti hui lagne lagi thi...

usne bhi thaan liya tha ki wo apni puri jaan laga degi aur sabse behtar bankar dikhayegi aur issi thought ko liye...

MAHI aur baaki sabhi SAVENTS ki aankhen band ho chuki thi....

sabhi ne apne apne BRAIN CEREBRATION ko pause kiya aur aisa karne ke baad sabhi ne apne brain ko apne body se aur fir apne brain aur body ko apne blood se connect kiya aur aisa hote hi...

sabhi ne apne apne man me ANTARIKA NIRUPAMA spell ko uccharit kiya air aisa hote hi jaisa ki hota aaya hai,sabhi ke apne heart ke upar ek roshni ubhri jo ki soul ki hi shakti ki ek choti si urja thi aur aisa hote hi sabko ek baar firse apne apne bheetar bhaar mehsoos hone laga...

aur yahi wo mod tha jahan se baaki sabhi SAVENTS aur MAHI ka raasta badla...

jahan baaki sabhi SAVENTS us bhaar ko bardaasht karne ki koshish me lage rahe,wahin MAHI ke heart me jaise hi urja ubhri aur uski wajah se uske bheeter uska wazan badhne laga toh....

MAHI ka antarman turant ek safar par nikla yaa fir ye kahun ki MAHI ne apne antarman ko apne pure sharir par douda diya...

aur is safar me MAHI ka antarman pehle uske mastishk me gaya aur fir wahan se u turn lete hue MAHI ke pure innerbody se hota hua blood me pahuncha aur jaise hi ye hua, MAHI ne kuch mehsoos kiya aur andar hi andar chownki....

aur wo isiliye kyunki is antarman ki yatra ke dauran MAHI ne mehsoos kiya ki cerebration process ko pause karne aur brain,body aur blood ko jodne se in teeno ke beech ek tarah ka bridge sa ban jaata hai aur yahi wo bridge hai jisse ye teeno jude rehte hain...

wahin in sabke beech MAHI ke heart ke upar ubhri urja ka bhaar badhte hi jaa raha tha aur agar aisa hi kuch der aur chalta toh MAHI ka paused CEREBRATION phir shuru ho sakta tha par tabhi....

jaise ek chamatkar hua...

us urja me khichaav aana shuru ho gaya....

ya fir ye kahun ki MAHI ne us urja ko kheenchna shuru kar diya... par kyun aur kaise???

aaiye jaan lete hain.....

darasal jaise hi MAHI ko wo bridge dikhi toh uske agle hi pal usse ek yukti sujhi...

usne socha ki jaise soul ki urja tak pahunchne ke liye brain,body aur blood ko jodna padhta hai,toh kyun naa ussi urja ko in teeno me vibhajit kiya jaaye...

aur issi soch ko karm me parivartit karte hue...


SAMAROPANA

TRANSFER....


apne andar ki urja roopi bhaar ko aur us bridge ko mehsoos karte hue MAHI ne is spell ko uccharit kiya aur uske aisa karte hi....

jo bhaar MAHI apne andar mehsoos karne lagi thi, spell ke uccharit hote hi wo bhaar MAHI ke andar bane bridge ke teeno hisso me batne laga jiski wajah se usme khichaav aaya...

wahin in sabse alag ab tak sabhi SAVENTS apne apne bhaar ko sehne ki sima paar kar chuke the aur isiliye un sabki ankhen khul gayi...

baaki dino ke mukable sabhi ne zyada der tak aaj koshish ki thi par phir bhi natija toh negetive hi tha isiliye sabhi nirash the...

issi nirasha ke beech jab un sabki nazar saamne gayi toh sabne dekha ki VOILET WHIZZ bade dhyan se ek taraf dekh rahi thi..

jab sabhi ne un nazaron ka picha kiya toh sabhi chownke...

reason..jahan ek taraf wazan naa seh paane ki wajah se un sabki aankhen khul chuki thi wahin MAHI ab bhi lagi hui thi aur saath hi is waqt uske mastishk,heart ke upar aur pet ke upar ek halki halki roshni chamak rahi thi...

aur in sab chizon se door MAHI ke bole us spell ki wajah se wo urja lagatar uske sharir me bane bridge se hote hue uske pure sharir me faile rahi thi...

jaise ki pehle bhi bataya jaa chuka hai ki ye urja ATTACH MODE ki urja ka ek bohot hi chota sa bhaag tha, kintu saath hi ATTACH MODE ko trigger karne ki ye urja ek kism ki chaabi thi, isiliye jaise hi is urja ne MAHI ke brain,body aur blood se khud ko joda, MAHI ka pura sharir tez roshni me naha gaya jisse dekh ek taraf sabhi SAVENTS ki aankhen band ho gayi wahin dusri taraf VIOLET ka chehra khushi se khil gaya aur wo isiliye kyunki MAHI is saal ki first SAVENT ban gayi thi jisne ATTACH MODE ko trigger kiya tha...

wahin in sab baaton se juda jaise hi MAHI ke brain se us urja ne khud ko joda toh....

KRRRRR....................


is awaaz ke saath kisi chiz se khudko touch karke khudko usme samata hua mehsoos kiya MAHI ke dimag ne jisse uski aankhen turant khul gayi....

MAHI ke aankh khulte hi wo roshni jo usse nikal rahi thi,wo bhi gayab ho gayi...

MAHI ne dekha ki sabhi SAVENT usse gher ke khade hue hain...

air uski ankhen khulti dekh...


ALFREEN-are you ok MAHI...!!!!????tujhe kya hua tha...???tere pure body se roshni flow ho rahi thi...


isse pehle ki MAHI kuch kehti...


VIOLET-congrats MAHI..again you are the first SAVENT jisne apni SOUL AMPLIFICATION ko trigger kar liya hai..

aur SAVENTS,jo roshni abhi aap sabne dekhi,wo issi wajah se hui thi...


jahan is baat ko sun ALFREEN, MABEL aur saath hi baaki sabhi SAVENTS behad khush ho gaye the,wahin MAHI kisi khayal me khoyi hui thi jisse VIOLET ne dekha aur...


VIOLET- kya soch rahi ho MAHI....????

MAHI- WHIZZ,aankh khulne se kuch seconds pehle mujhe kuch ajeeb sa feel hua tha...

VIOLET-MAHI,ATTACH MODE SOUL se judi hui chiz hai...wo SOUL jo pure universe ke saath ek ATTACHMENT ke saath connected hai..

aur jab kabhi koi SAVENT first time apne SOUL AMPLIFICATION ke process ko trigger kar ATTACH MODE ko use me laane ke kaabil banta hai,tab tumne jo feel kiya,waisa hi kuch feel usse hota hai...


MAHI ki baat bina pura sune VIOLET WHIZZ ne apni baat kahi jiske baad MAHI kuch kehne hi waali thi ki tabhi MABEL, ALFREEN aur baaki sabhi SAVENTS usse badhayi dene lag gaye jis wajah se uski baat uske andar reh gayi...


VIOLET-SAVENTS...MAHI ne aaj apne SOUL ko AMPLIFY kiya hai jiske baad usse rest ki zaroorat hai isiliye baatein aap baad me kar lijiyega...

saare classes khatm ho chuke hain isiliye aap sab jaa sakte hain....


apni baat keh VIOLET WHIZZ nikal gayi jiske baad dheere dheere sabhi SAVENTS bhi apne apne destinations ki taraf nikal gaye...

sabhi ke saath MABEL, ALFREEN aur MAHI bhi apne ABODES ki taraf chal pade par MAHI ke dimag me ab bhi jo thodi der pehle uske saath hua tha,wahi ghum raha tha...

wo apni hi sochon me goom thi wahin MABEL aur ALFREEN ko laga ki jaisa VIOLET WHIZZ ne kaha tha ki MAHI kaafi thak gayi hogi, isiliye unhe laga ki thakaan ki wajah se MAHI chup hai aur unhone bhi usse kuch nahi kaha...

apni soch me goom,kab MAHI aur ALFREEN ka ABODE aa gaya,usse pata hi nahi chala...

shaam ke milne ka bol ALFREEN apne ABODE nikal gayi aur MAHI apne....




MAHI'S ABODE



YE KYA HO RAHA HAI MERE SAATH????SUBAH WO ATTACHMENT WAALI FEELING AUR AB YE AJEEB SAPNA....!!!!

PEHLE TOH KABHI AISA SAPNA NAHI AAYA MUJHE..FIR AAJ KYUN???AUR WO BHI USSI EHSAAS KE SAATH JO SUBAH MAINE FEEL KIYA THA....

YAAR YE ACHANAK HO KYA RAHA HAI...????


lambi lambi saans bharte hue MAHI ne khud se ye baat kahi thi...kyun???aayiye jaan lete hain...

raat ka waqt hai...karib 12 baj rahe hain... kuch der pehle hi MAHI ki aankh lagi thi aur jaise hi aisa hua toh.....

usse ek sapna aaya..aisa sapna jo haqiqat se zyada sachha lag raa tha.

MAHI ke mastishk me ek chalchitra chalna laga tha jisme.......

ek behad shaktishali urja se bana gola jo light speed se dharti ki aur badh raha tha...

tezi se neeche aata hua wo gola achanak ek jagah aakar ruka aur uske rukte hi us urja ke beech se ek ray nikli aur ek disha ki taraf badh chali...

ye ray behad patli thi..itni patli ki nangi aankhon se dikhayi tak naa de...

aur us ray ki speed light se bhi zyada thi..kuch hi seconds me wo ray ek jagah pahunchi aur jaise hi ye hua....

MAHI ko jaisa subah apna brain kisi chiz me samata hua sa mehsoos hua tha,thik wahi feeling ab bhi aayi...

wahin dusri taraf us urja me ek tez vibration hua jisse uski urja ke kuch kan usse nikal kuch door chitak gaye....

par aisa hote hi MAHI ke brain me bhi same vibration hui jisse MAHI ki neend toot gayi aur wo uth kar baith gayi...

aisa kuch MAHI ke saath pehle kabhi nahi hua tha....ek taraf MAHI ka dimag in sab ghatnaon ko soul amplification ke kaaran ho raha affect bata raha tha wahin dusri taraf uske dimag ka ek hissa isse dusri taraf ishara kar raha tha...

kuch der tak khudse hi ladte rehne ke baad jab MAHI kisi nishkarsh me nahi pahunchi toh usne apne dimag ko filhal ke liye jhatak diya...

MAHI ki neend puri tarah se gaayab si ho gayi thi..usse apne ABODE me filhal rehne ka man bhi nahi kar raha tha aur isiliye wo uthi aur apne ABODE se baahar nikal tehelti hui ek taraf badh gayi...

apne sochon me goom aage badhti hui MAHI ko achanak kuch feel hua..ek strong energy force jisse negetive vibe aa rahi thi...

MODES ke books me MAHI ne ye padha tha ki ATTACH MODE ko access karne waala har shaksh positive aur negetive energy ko feel kar sakta hai...

ye baat MAHI ke dimag me ubhri aur fir turant MAHI ne jis taraf us negetive energy ko feel kiya tha,us taraf badh gayi...

tezi se aage badhte hue MAHI har taraf dekh hi rahi thi ki tabhi....

usse apne se kuch door par ek bohot hi badi kaali si chaadar hawa me uthi hui aage badhte hue dikhi jisse dekh turant MAHI uske piche lapki..

MAHI ko us kaali chaadar se hi wo negetive energy feel hui thi..

MAHI apni puri taakat se us badi si kaali chaadar ke piche bhaagi thi par us chaadar ki speed bohot zyada thi...kuch hi seconds me wo chaadar MAHI ke aankhon se ojhal ho gayi....

MAHI bhi idhar udhar dekhte hue us kaali chaadar ko dhundne lagi par usse kuch dikha nahi...

nirash ho wo wapas palatne hi waali thi ki tabhi usse jis taraf wo kaali chaadar gayab hui thi,wahan se kuch awaaz sunayi di.....

ye awaaz kisike chalne ki thi jisse MAHI samajh gayi thi...jahan se wo awaz aa rahi thi,us jagah par pedon ka ghana chaaya tha jiski wajah se wahan andhera tha..

MAHI dheere dheere us awaaz ki taraf aage badh gayi wahin wo awaaz bhi ab halki zyada aa rahi thi jiska matlab tha ki wo awaaz MAHI ki hi taraf badh rahi thi....

aur kuch der baad MAHI ka vision clear hua aur us awaaz ya fir ye kahun ki andhere me us ped ke neeche ghaans pe chalne waala shaksh MAHI ke saamne aaya jisse dekh MAHI ki aankhen badi ho gayi aur uske mooh se nikla...


RAAZ......

MAI-10 feet ko duri hai hamare beech fir itni zor se chillaane ka kya matlab???


maine sidhe sapat tarike se jawab diya tha..mai bilkul normally khada tha wahin MAHI kuch der tak yunhi aankhen badi kar mujhe dekhti rahi par phir...


MAHI-faasle jagahon ke beech nahi,logon ke beech hote hain..

aur jab baat tumhari ho,toh tumne toh har kisise doori banayi hui hai...

isiliye maine zor se tumhara naam pukara,taaki shayad tumhe sirf apni hi nahi saamne waale ki bhi baat sunayi de...


MAHI ki baat sunane ke baad bhi jab mai chup raha toh....


MAHI-kya baat hai???aaj palat kar jawab nahi de rahe ho... mujhe toh laga tha ki ek yahi hunar hai tumme...behes karni ki...

MAI-maine bhi kahin suna tha ki har insaan apne baaton ke piche chupa hota hai..agar usse pehchaanana hai toh usse bolne do...

bas yahi kar raha hun....

MAHI-tum mujhe pehechanana chahte ho???aur wo bhala kyun???

MAI-ladki normal ho ya SAVENT...khud ko importance dena kabhi nahi bhulti...

mai tumhe nahi usse pehechanane ki baat kar raha hun jo raat ke 12 baje mere paas aakar mujhse hi sawal sawal khel raha hai.....

MAHI-toh ye bhi bata do ki itni raat gaye tum yahan kya kar rahe ho..???

MAI-is jagah ko ek baar dhyan se dekho aur fir yahi same sawal tum khudse pucho...


meri baat sun MAHI ne jab hum jahan khade hakn,us jagah ko dekha toh ek pal je liye wo chownki...

usse pata hi nahi chala wo is waqt HOSTEL ke paas khadi thi...


MAHI-mai toh yunhi tehelne aayi thi par tum itni raat gaye yahan kya kar rahe ho...???

MAI-tehelne ka tender sirf tumne hi bhara hai kya????

MAHI-kabhi bhi sidha jawab nahi de sakte tum,kyun???isiliye koi bhi tumhare baarenme positive nahi bolta.....

MAI-peeth piche kaun kya bolta hai,fark nahi padta....saamne kisika mooh nahi khulta,yahi kaafi hai...

MAHI-par mai toh tumhare mooh par hi keh rahi hun....

MAI-logon ne toh BHAGWAAN ko bhi gunahgaar thehraya hai toh fir meri haisiyat hi kya hai....???

MAHI-GOD ki baat tumhare mooh se suit nahi karti...

MAI-koi chiz ho,insaan ho yaa fir BHAGWAAN...zaroorat pade toh istemaal kar lena chahiye...


meri baat sun MAHI bina kuch bole mujhe dekhti rahi...

MAHI ko laga tha ki RAAZ ko provoke kar apne shak ko clear kar legi par aisa kuch hua nahi....

sabse ajeeb MAHI ko ye lag raha tha ki bhale baat koi bhi rahe,un baaton se RAAZ ke chehre ko padha nahi jaa sakta tha kyunki naa RAAZ ke chehre par koi expressions aate the,aur naahi uski baaton me alag lay rehti thi...

wo har chiz ekdum casually aur normal tone me kehta tha jisse usse judge karna aur mushkil ho jaata tha...

yahi sab chal raha tha MAHI ke dimag ne...


wahin jab maine dekha ki MAHI bina kuch kahe bas chup chaap khadi hai toh...

MAI-yahan dhyan lagakar koi faayda nahi hoga..ghar jaao MAHI....


ye bol mai apne hostel jaane ke liye palat gaya par tabhi....


MAHI-kaun sa RAAZ chupaye ghoom rahe ho RAAZ...


MAHI ki baat sun mai rooka,palta aur...



MAI-begunah koi nahi,sabhi ke RAAZ hote hain...

bas kisike CHHUP jaate hain,aur kisike CHHAP jaate hain....







AAJ KE LIYE ITNA HI....





AAPKA APNA V..J...
 

Top