Fantasy ATTITUDE (KABHI ANGEL KABHI DEVIL) (vj4u)

Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF MARLIZA KISI KO USKI NIDRA SE UTHA ASLIYAT BATA USSE WAPAS USSI NIDRA ME BHEJ DETI HAI TOH WAHIN DUSRI TARAF FLORIN KO RAAZ DWARA LIKHE NAYI LANGUAGE KAA NAAM AUR USME LIKHE ALPHABETS KA MATLAB SAMAJH ME AA JAATA HAI

AB AAGE:-



CHAPTER-1

(UNFOLD THE RAAZ)



MEGA UPDATE-10



PLANET-EARTH


PLACE-TONGASS NATIONAL
FOREST




WAQT AA GAYA MAHI.....TUMHARE HOSH ME AANE KA BHI AUR TUMHARE NAYE SAFAR KA BHI.....

MAHI se kuch door uske sidh me khade us jaane pehchaane AWAAZ ke maalik ke mooh se ye baatein nikli thi...

aur aisa hote hi ek urja numa roshni uske sharir se nikal MAHI ki taraf badh chali aur dekhte hi dekhte wo roshni MAHI ke mastishk me sama gayi aur aisa hote hi MAHI ke sharir ko ek jhatka laga aur fir dheere dheere wo hosh me aane lagi...

kuch hi palon me uski consiousness wapas aa chuki thi...

par aankhen khulne ke baad bhi wo yunhi upar dekhte hue leti rahi...

darasal aankh khulte hi MAHI ke dimag me behosh hone se pehle hui saari ghatna ghumne lagi thi...

itna hi nahi,kis jagah pahunch,kis sthithi me wo behosh hui, kahan galti hui aur us galti ko dobara kaise naa dohraya jaaye,ye saari chizen uska dimag sochne aur plan karne me lag gaya tha...

aur yahi wo kaaran tha jiski wajah se uske saamne khade AWAAZ ne kuch din pehle uski chetna nahi loutayi thi...

usse pata tha ki MAHI ke hosh me aane ke baad aisa hi kuch hoga...

wahin saamne leti MAHI ne ab tak sab kuch plan kar liya tha aur apne plan ko exucute karne ke liye wo turant uthi aur wapas dhyan mudra me jaane ke liye baithi hi thi ki tabhi....

aankh band karne se purv MAHI ki nazar saamne ki taraf saamne ki taraf gayi aur.....



MAHI- HOLY.....FU*K.........




PLACE-ALFREEN ORPHANAGE




sukoon chhupa hai tera,
bas samajh har alfaaz jo KEHTI hai...

chinta ki har jad ko pakad,aur
aaja wahan jahan se pashchimi hawa BEHTI hai....



KYA HO SAKTA HAI IN SAB KA MATLAB!!!!


normally jheel ke saamne baithne ka kaam RAAZ ka rehta hai,but aaj maamla zara alag tha....

haathon me ek paper liye usse ghurte hue har 2 minute baad usme likhe alfaaz dohraate hue FLORIN lagatar apni sochon me goom the ya fir ye kahun ki us PAHELI ko jo RAAZ ke likhe DEMONOIC language ko decode karkar saamne aayi thi,usse suljhane me khoye hue the....

aaj 3 din guzar chuke the us PAHELI ke baare me jaankar par abhi tak FLORIN aur MARIA ko usse crack karne me kaamiyabi nahi mili thi....

in teen dino ke dauran school ke principal se request kar RAAZ ke examination hall ke invigilator se bhi baat kar chuke the FLORIN...

baaton ke dauran us invigilator ne bataya tha ki RAAZ ne apne saare papers apne sir ko neeche desk me tikakar diye the...

kayi baar round ke waqt unhone dekha tha ki RAAZ ki aankhen likhte waqt bhi band rehti thi..

unhe is baat se bohot hairangi hoti thi but kyunki board exams me invigilators ka student interaction bhi mana hai isiliye unhone kuch kaha nahi...

jab ye baat FLORIN ne MARIA ko batayi toh unke andar ka dar aur badh gaya..unhe aisa lagne laga maano RAAZ par kisi evil spirit ka saaya hai...

FLORIN ne badi mushkil se MARIA ko samjhaya ki aisa kuch bhi nahi hai aur unhe vishwas hai ki bas wo kisi tarah is nayi paheli ko crack kar len toh
sab clear ho jaayega...

aur tabhi se aur zoron shoron se FLORIN lag gaye us PAHELI ko solve karne me par abhi tak kuch khaas success unhe mila nahi tha...

FLORIN-itna toh pakka hai ki ye jo kuch bhi likha hai,wo RAAZ se connected hai....

but kaise???

apne maathe ke bicho beech apne index finger ko rub karte hue aankhen band man hi man FLORIN ek baar firse us paheli ko repeat karne lage..

par kaafi der baad bhi jab unhe kuch nahi sujha toh pehle unhe nirasha hui par fir apne dimag ko jhatak unhone apni aankhen khol di...

shaam hone lagi thi...baad me try karne ka soch FLORIN wahan se jaane ke liye uthe hi the ki tabhi ek hawa ki thandi leher ne unhe chua...

FLORIN-chilling....

apne haathon ko ragad FLORIN waapsi ke liye mude hi the ki tabhi ek purana scene unke dimag me aaya..

aur us scene ke dimag me aate hi jaise unke andar ek jhanaka sa hua....

FLORIN-oh shit...mai itni important baat kaise bhul gaya....

apne aap se ye baat keh FLORIN turant orphanage ki taraf badhe aur wahan pahunch sidhe orphanage ek left block ke right side bane store room ki aur chal pade...

orphanage ke har room me fingerprint sensor laga tha jisme yahan ke har faculty members ka thumb impression moujud tha..

FLORIN store room ko open kar ek taraf badhe aur jaise hi wahan pahunche,toh jis hope ke saath wo yahan pahunche the,wo hope sahi nikla jisse dekh FLORIN ka chehra chamak utha...

is waqt FLORIN ki aankhon ke saamne wahi tokri thi jisme unhone pehli baar RAAZ ko dekha tha aur jisse unhone ussi raat yahin store room me rakh diya tha but unki nazar us tokre par nahi balki us tokre ke andar thehri hui thi....

FLORIN ne turant apna mobile nikala aur apni wife ko call kar diya....

FLORIN- MARIA...turant store room me aao....

MARIA- what happened...???

FLORIN-aao toh batata hun...

ye bol bina aur kuch sune FLORIN ne phone kaat diya...wahin call diaconnect hote hi MARIA turant store room ki taraf nikal padi...

MARIA- kya hua FLORIN???tumne mujhe yahan kyun bulaya??and firstly tum yahan kar kya rahe ho???

FLORIN-MARIA,wo paheli yaad hai jo RAAZ ne DEMONOIC LANGUAGE me likhi thi..wo half solve ho gayi hai....

MARIA-what???!!!really....kya hai uska matlab!!!aur half solve hui hai,iska kya matlab hua???

FLORIN ki baat sun MARIA apne pehle puche gaye sawal jaise bhul hi chuki thi...

wahin FLORIN ne MARIA ke sawalon ke jawab me kuch kehne ki jagah apna right hand aage kar diya jisme is waqt kuch tha...

ye chiz wahi thi jo kuch der pehle tak us tokre me thi,aur jiske liye FLORIN yahan aaye the...

KYA!!!! aayiye,jaan lete hain....

MARIA-mai tumse itna important sawal puch rahi hun aur tum mujhe ye PATTA dikha rahe ho...

FLORIN-paheli ka jawab ka sabse bada hint hai ye LEAF....

MARIA-matlab???

FLORIN-pehle tum batao ki ye kis tree ka leaf hai...

MARIA-HAZELNUT TREE ka...

FLORIN-aur yahan aas paas HAZELNUT TREE kahan hai????

MARIA- yahan ekdum paas toh hai nahi..wo toh sidhe HOIA FOREST me hi milega....

FLORIN-ab ek aur baat batao.. waise toh ye pura ilaka hi thanda hai,par hawa yahan kis taraf se chalti hai...

MARIA-ye kaisa sawal hai???jab thodi door hi itna ghana HOIA FOREST hai, mountains hai,toh hawa bhi udhar se hi aayegi naa...!!!

but in sab ka us puzzle se kya lena dena???

FLORIN-wahi jo ek pakshi ka udne se hota hai...

MARIA-mujhe kuch samajh me nahi aa raha...!!!!

FLORIN- jaanti ho ye leaf mujhe kahan mila???

MARIA- kahan???

FLORIN-is tokre se....

MARIA- haan toh isme kaun si badi.........

MARIA ke aage ke words unke andar hi reh gaye the...kyunki tokre ko dekh unhe yaad aa chuka tha ki ye wahi tokra hai jisme RAAZ yahan aaya tha....

MARIA-is tokre se!!!!par ye toh....

FLORIN- RAAZ ki hai...aur RAAZ ko godh me uthane ke baad maine hi is tokre ko yahan store room me rakha tha...

aur jab mai isse yahan rakh raha tha,tabhi meri nazar is LEAF par chali gayi thi jo is tokre ke kapde me ulajh kar reh gaya tha...

but tab maine is baat par zyada dhyan nahi diya tha but aaj paheli ka RAAZ ke saath connection jodte waqt achanak mujhe iska khayal aaya...

FLORIN ki baat sun MARIA kaafi excited ho gayi thi kyunki FLORIN ki baat se ek baat clear ho gayi thi.

RAAZ ke zindagi ki shuruat kahi naa kahin HOIA FOREST ke aas paas hi hui hai kyunki jo leaf is waqt RAAZ ke tokre se mila tha,wo HAZELNUT TREE ka tha aur is region me aur aas paas ke saare regions me sirf HOIA FOREST hi ek aisi jagah thi jahan HAZELNUT TREE paayi jaati hai....

MARIA-you are amazing FLORIN...aur ab mai samjhi ki tum mujhse us hawa ke behne ke baare me kyun puch rahe the...

paheli me jis paschimi hawa ki baat kahi gayi hai,uska jawab bhi HOIA FOREST hi hai...kyunki is taraf hawa wahin se aati hai aur HOIA FOREST hamare

FLORIN- west me matlab pashchim me padhta hai....

FLORIN ne MARIA ki baat puri ki...wahin MARIA paheli ke main hisson ko pura samajhne ki khushi me FLORIN se lipat gayi thi...

FLORIN-arre waah..agar pata hota ki puzzle solve karne par itna tight hug milne waala hai toh maine pehle hi isse solve kar liya hota....

MARIA-very funny....puzzle toh solve ho gayi fir tumne ye kyun kaha tha ki puzzle half solve hui hai???

FLORIN- aadhi hi toh solve hui hai..hume bas paheli ka second phrase jisme kahan jaana hai,uske baare me pata chala hai...

first phrase ke first line ka matlab abhi bhi unsolved hai....

MARIA-usme kya likha tha????

FLORIN- sukoon chuppa hai tera...ye line..iska matlab abhi crack nahi hua hai...

MARIA- haan toh ye line shayad RAAZ ke liye hogi..afterall ye sab likha toh ussine hai...mujhe lagta hai hume bas RAAZ ko HOIA FOREST tak lekar jaana hai..

FLORIN-hume nahi sirf mujhe...wahan pata nahi kya ho???aise me tumhara wahan jaana thik nahi hoga...

MARIA-waah..khud hi keh rahe ho ki wahan khatra ho sakta hai aur mujhe saath aane se mana kar rahe ho...tumne socha bhi kaise ki mai tumhe wahan akele jaane dungi aur wo bhi khaas kar tab jab situation itni wierd chiz se connected hai...

jaayenge toh saath nahi toh tum bhi nahi jaaoge and that's final...

MARIA ne apni baat itni determination ke saath kahi thi jisse FLORIN samajh gaye the ki MARIA unki ek bhi nahi sunane waali aur isiliye...

FLORIN-ok fine...saath chalenge...

MARIA-now that's more like it...

FLORIN-toh fir abhi chalen???

MARIA-abhi!!!abhi toh dinner time hone waala hai..aur waise bhi yun achanak jaana bhi thik nahi..

kuch thik se planning karkar chalte hain.....

FLORIN-mujhe lagta hai ki hamara aaj hi jaana thik hoga..aur iska ek khaas reason bhi hai...

MARIA-khaas reason...wo kya???

FLORIN-tum bhul gayi...aaj hi wo din hai jis din RAAZ hume Mila tha....

MARIA-oh shit...ye mai kaise bhul gayi....

FLORIN-tumhari galti nahi hai... RAAZ ne kabhi chaha hi nahi ki koi uska birthday celebrate kare yaa fir usse wish bhi kare...

har saal ki tarah aaj bhi wo subah se hi gayab ho gaya tha taaki agar kisiko yaad bhi ho toh bhi koi usse wish naa kare...

aur pata hai,kyunki ye sab jo ho raha hai, RAAZ se connected hai isiliye subah se hi mujhe ye gut feeling thi ki aaj ye paheli solve ho hi jaayegi aur dekho,ho bhi gayi...

aur ab jab jo maine socha hai,wo sach nikla toh pata nahi kyun, par ab mujhe lagta hai ki ye jo bhi ho raha hai,aaj hi wo din hai jab in sabse parda hatega....

MARIA jo FLORIN ki baat bade dhyan se sun rahi thi,unhe bhi FLORIN ki baatein sahi lagi aur isiliye....

MARIA-thik hai fir..aaj hi is kisse ko khatm karte hain...ek kaam karte hain,bachon ke apne apne dormitories aur room me jaane ke baad hum nikalte hain...

waise bhi HOIA FOREST pahunchne me hi hume lagbhag 45 minutes lag jaayenge....

FLORIN-ye thik rahega....chalo fir,dinner time ho raha hai...

sab kuch tay kar dono store room se baahar nikal gaye is baat se anjaan ki wo jis kisse ko khatm karne ki baat kar rahe the,wo kissa ek naya rukh lene waala hai....



2 HOURS AFTER DINNER



WAQT AA CHUKA HAI RAAZ.....



mai apne room me aankhen band kiye leta hi hua tha ki tabhi ye awaaz mere kaano me gunji jisse sun mai uthkar baith gaya....

abhi mai is awaaz ke baare me soch hi raha tha ki tabhi....

GUARD-RAAZ tumhe FLORIN sir bula rahe hain...

ye hamara in-house guard tha jiski baat sun mai uske saath baahar ki taraf nikal pada....

wo guard mujhe FLORIN sir ke cabin me lejaane ke bajaye baahar lawn ki taraf le jaane laga par maine usse kuch pucha nahi..bas uske piche piche chalte gaya....

lawn se hote hue hum orphanage ke main gate ki taraf badhe jahan is waqt FLORIN sir aur MARIA ma'am apni car ke paas khade the...

dono aapas me kuch baat kar rahe the but mujhe dekh dono chup ho gaye...

wahin guard mujhe sir aur ma'am ke paas chhod kar wapas chala gaya.....


FLORIN-RAAZ,tumhari ma'am aur mai yunhi drive par jaa rahe hain toh socha tumhe bhi saath le chalen..

hum jaante hain ki tum apna birthday manana pasand nahi karte but yunhi drive par toh chal hi sakte ho naa...


undono ki baat khatm hote hi mai chupchaap aage badha aur car ki piche ke door ko khol andar baith gaya...


wahin FLORIN aur MARIA jo ye soch rahe the ki mujhe saath chalne ko kaise convince karen,mujhe yun araam se car me baiththe dekh pehle toh woh dono chownke but fir mere hamesha ke hi ajeeb behaviour ko dhyan me rakh un dono ne zyada nahi socha aur car me baith gaye aur agle hi pal car apne safar ki taraf chal padi...

ek aise safar par jahan se ek naye safar ki shuruat hone waali thi...



BACK TO MAHI:-



KAUN HO TUM....????


turant uth side me rakhe dhanush baan ko utha stance lete hue MAHI ne apna sawal pucha....


AWAAZ- janmdin ki hardik shubkaamnayen MAHI...

ua awaaz ke maalik ki baat sun MAHI ki aankhen hairat se faile gayi....wo is AWAAZ ko pehchanti thi...

kyunki ek yahi AWAAZ thi jisne usse bataya tha ki uska janmdin kab tha aur tab se aaj tak bas yahi ek AWAAZ thi jisne har saal usse birthday wish kiya tha....


MAHI- tum...!!!!!!par....

AWAAZ-ye bramhaand aascharyon aur chamatkaro ke khazane se bhara hua hai MAHI...aur unhi chamatkaron ke ek mukhya bindu ki taraf tumhe jaana hai..

aur wo bhi abhi....aur rahi meri baat toh uchit samay aane par hamari bhet phir hogi...


MAHI ke man me hamesha ki tarah kayi sawal the par pata nahi kyun usse bas is AWAAZ ke maalik ki baat maanane ka dil kiya aur isiliye...


MAHI-kahan jaana hai mujhe???


MAHI ke aisa kehte hi uske saamne hawa ke beech bindu ka roop lekar hawa ghumne lagi aur dekhte hi dekhte us hawa ne gol ghumte ghumte ek chakra ka roop le liya jo ek bade se gol darwaze ki tarah tha...

par darwaze ke dusri taraf kuch bhi nahi dikh raha tha..wahin MAHI aankhon me aascharya liye is chamatkar ko dekhe ja rahi thi...


AWAAZ-chakra ke andar chali jaao MAHI....


pata nahi us AWAAZ me koi baat thi ya MAHI ke jigyasu swabhaav me,jiski wajah se wo bina ek pal gawaye apna dhanush baan thaame us chakra ke andar chali gayi...

aur uske andar jaate hi wo chakra numa darwaza band ho gaya....


AWAAZ- apna khayal rakhna MAHI....bohot jald mulakat hogi....


apni baat keh wo apni raah nikal gaya...

wahin dusri taraf jaise hi MAHI ke kadam us magical gate se hote hue dusri taraf pade,jo andhera wahan faila tha,wo tez prakash me badal gaya jiski wajah se ek pal ke liye MAHI ki aakhen band ho gayi aur jab usne aakhen khol samne dekha toh wo chownk gayi...

reason....

is waqt MAHI ek bohot bade room me thi...us room me bohot se shelfs the jisme alag alag books aur other equipments rakhi hui thi...

ek badi si table jiski dusri taraf teen badi badi upholstery wing chairs rakhe hue the...

aur MAHI ke chownkne ki mukhya wajah us chairs me se ek thi...darasal un teen chairs ke beech waali chair par white robe me jiske beech me halka sa pink suit ka style mix tha,pehne ek bohot khubsoorat si ladki baithi hui thi jo is waqt MAHI ko dekh muskura rahi thi....

kuch der tak yunhi MAHI ko dekhte rehne ke baad wo apni chair se uth MAHI ke saamne aakar khadi ho gayi...


UNKNOWN-kaisi ho MAHI????


us ladki ki awaaz ko sun MAHI ko jhatka laga...reason...ye awaaz wahi thi jisne MAHI ke sapne me aakar usse baat ki thi....


MAHI-aap!!!!aap wahin hain naa jo us raat mere sapne me aayi thi...


abhi MAHI ko kuch jawab mile usse pehle hi....


KHATT........


jis room me wo ladki aur MAHI khade the,wo khula aur aisa hote hi do male room ke andar aaye..

un dono ne bhi white robes pehne hue the par unlike us ladki..un dono ke kapde sirf robes the...

aur dono hi kaafi handsome the aur unki smartness ko unki smile aur badha rahi thi jo is waqt un dono ke chehron ki shobha badha rahi thi...

wo dono chalte hue us ladki ke ek ek taraf hokar khade ho gaye...

wahin in sabke saamne khadi MAHI apne chehre par dheron sawal liye un teeno ko dekhe jaa rahi thi aur is baat se wo teeno anjaan nahi the...


LADKI- haan MAHI,mai hi hun wo jo us raat tumhare sapne me aayi thi...


us ladki ke jawab ko sun aankhon me jigyasa liye...


MAHI- aap hain kaun???infact aap teeno kaun hain???ye sab jo hua,wo sab kya hai aur kaise hota hai???aur ye jagah kaun si hai???kya hum kisi magical dimension me hai...???kya ye sab sach me supernatural hai yaa fir ek behatareen illusion???

agar ye illusion hai toh ye recipient ke dimag ko kaise block karta hai???

ek ke baad ek kayi sawal karti chali gayi MAHI jisse bade dhairya se aur muskurate hue sunte chale gaye uske saamne khade hue wo teen log aur jab kuch der baad MAHI ke sawalon ka pitara khatm hua toh...


LADKI-tumhe tumhare sabhi sawalon ke jawab mil jaayenge..par sabse pehle,hum apna parichay de dete hain...


1ST-mera naam SHAILA hai...


2ND-mujhe MOKALSAR kehte hain...


3RD-aur mai AKSHAANT hun....



 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF MAHI APNE NAYE ZINDAGI KI SARHAD PAR PAHUNCH CHUKI HAI WAHIN DUSRI TARAF RAAZ, FLORIN AUR MARIA HOIA FOREST KI TARAF NIKAL CHUKE HAIN.


AB AAGE:-




CHAPTER-1


(UNFOLD THE RAAZ)




MEGA UPDATE-11




PLANET-EARTH


PLACE- HOIA FOREST




SO FINALLY WE ARE HERE....


car ko HOIA FOREST ki baahari sarhad ke paas rokte hue FLORIN ne kaha...


MAI-aapne toh kaha tha ki hum drive par chal rahe hain....drive ka matlab toh chalte hue car me baithe rehna hota hai naa..

fir humne halt kyun kiya???aur wo bhi yahan...!!!

FLORIN-humne toh raaste me tumse pucha tha ki kya tum kisi specific jagah jaana chahte ho but tumne nahi kaha...

ab humara dil kiya is taraf aane ka toh hum aa gaye...

MAI-dil kiya aane ka..raat ke is pahar me is viraan jungle jisse haunted bhi kaha jaata hai,aisi jagah me aane ka dil kiya aapka...!!!!

kamsekam jhuth valid lage,aisa koi bahana bana lijiye....


meri baat sun pehle toh FLORIN aur MARIA ne ek second ke liye ek dusre ko dekha maano man hi man puch rahe hon ki ab kya bolen par fir kuch soch MARIA mujhe kuch bolne ko hui hi thi ki....


MAI-dont try...aap jo bhi bolengi,wo sab kuch hoga bas sach nahi hoga...

bas itna clear kar dijiye ki kya aap dono mujhe yahan hamesha ke liye chhodne aaye hain???

agar aisa hai toh aap bejhijhak bata sakte hain???mujhe bilkul bura nahi lagega...


meri ye baat un dono ki shayad kaafi buri lagi!!! par jahan ek taraf FLORIN chup hi rahe,wahin MARIA apne emotions ko control nahi rakh paayin aur...


MARIA-how can you even say that RAAZ???kya hum tumhe itne bure lagte hain jo aisa kuch karenge...

aaj 16th birthday hai tumhara..kya in 16 saalon me humne tumhare saath ya kisi bhi bache ke saath zyadti ki hai...

kis angle se hum tumhe itne bure lage jo tumhare dil me ye khayal aaya....


baat karte karte MARIA ka gala bhar aaya tha......


MAI-certificate sports me milta hai....study me milta hai.... curricular activities me bhi milta hai...

but kaun acha hai,kaun bura, isse proove karne ka koi certificate nahi hai....

achayi aur burayi sirf dekhne ka nazariya hota hai aur kuch nahi....ab agar ho sake toh sach bataiye ki aap dono mujhe yahan kyun lekar aaye hain???


sach ugalwaane ka sabse kaargaar tarika ghussa dilana aur emotional karna hota hai...

meri kahi baaton se FLORIN aur MARIA dono ke andar ye dono hi feelings aa chuki thi aur isiliye....


FLORIN-fine..tumhe sach jaanana hai toh suno....par usse pehle ye batao ki tumne apne exam papers me kya likha tha???

MAI- mujhe yaad nahi....


meri do took jawab se pehle toh FLORIN aur MARIA thode chownke but fir FLORIN kuch seconds tak meri aakhon me dekhte rahe maano unhe padhne ki koshish kar rahe hon...

FLORIN army ke ek decorated soldier reh chuke hain aur unki kayi khaasiyaton me se ek yeh bhi hai ki wo saamne waale ki aankhon me dekhkar ye pata laga lete hain ki wo jhooth bol raha jai ya sach...

aur kuch der tak meri aankhon me jhaankne ke baad unhe pata chal gaya tha ki mai sach keh raha hun...

but is baat se jitna shocked unhe hona chahiye tha,wo hue nahi...aur aisa hona bhi natural hi tha..

in kuch dino me unhone itna kuch weird dekh liya tha ki unhe ab kuch bhi chownkata nahi tha...

kamsekam ab tak toh nahi.....


FLORIN-exams me tumne ye likha tha...


apni baat keh FLORIN ne mere aage apna mobile kar diya jisme is waqt mere answer sheet ki pic open thi...


FLORIN-itna hi nahi us raat jab hum sab tumhare room me aaye the aur tumhare body ko jhatke lag rahe the tab tumhari nails se tumhare bed ke kinare kuch alphabets ban gaye the aur wo ye rahe....

ek ke baad ek do pics mere aankhon ke saamne aayin jisse dekh pehle toh meri aankhen sochne ke andaz me choti hui par fir...


MAI-iska aapke mujhe yahan laane se kya link hai???


pics dikhate waqt FLORIN aur MARIA ko laga tha ki iske baare me mai zaroor kuch kahunga par mere aise reaction ka unhe zara bhi andaza nahi tha but mere weird behaviour ki wajah se unhone zyada dhyan nahi diya....


FLORIN- ye jo tumne exam sheet me likha tha,uska connection yahan is jagah se hai aur hum yahan aaye hain...isiliye

MAI-toh ab???

FLORIN- ab hume jungle ke andar jaana hai...agar aisa karne ke liye tumhara dil nahi karta toh tum yahin car me rook sakte ho...


maine bina kuch kahe bas car ka door khola aur baahar nikal gaya jisse MARIA aur FLORIN samajh gaye ki mai bhi unke saath jaaunga..

wo dono bhi car se utre... FLORIN ne piche dikki khol usme se wahi tokri nikali jiske andar wo white kapda aur leaf abhi bhi the....

reason.....paheli me kaha gaya tha ki pareshani ki har jad ko lekar aana hai...is jad me ye tokri,kapda aur wo patta bhi aata hai aur isiliye hi ye teeno hi chizen mere saath yahan aayi thi...

khair, FLORIN ne us tokri ko pakda,unhone apne saath ek badi torch light laayi thi jisse unhone us tokri me kuch aise rakha jisse wo light sidhe aage ki taraf focus rakhe...

FLORIN ke waist par ek revolver bhi tha for safety reasons...aakhir hum ek ghane jungle me jo ghusne waale the....


FLORIN- chalen....


ye bol FLORIN ne ek haath se MARIA ka haath pakad liya aur same cheez MARIA ne bhi karni chahi..

unhone mera haath pakadne ke liye apna haath badhaya but jab maine unke haath ko nahi thaama toh woh dono aage badhe...

mai bhi MARIA ke ek side hote hue unje saath hi aage badh chala...

FLORIN ke kaan me Bluetooth laga tha aur unke phone me khaas is HOIA jungle ka gps on tha jisme FLORIN ne pehle hi HAZELNUT TREES ke jhund ke location ko search me daal rakha tha...

voice command ne FLORIN ko bata diya tha ki HAZELNUT TREE ka jhund jahan hum is waqt hain,wahan se 2 km andar west ki taraf hai aur isiliye hi hum ussi disha me badh rahe the....

jahan FLORIN ek dum satark aur mai aaram se chalte hue aage badh rahe the,wahin MARIA thodi dari hui thi aur unka darna laazmi bhi tha...

waise toh chaaron taraf barf hone ke kaaran halka halka dikh hi raha tha but thi toh ye ek andheri raat hi...

aur is andhere me raat ke waqt hum jungle ke andar ghuse hi chale aa rahe the..par khud ko sayyamit kar man hi man pray karte hui hamare saath wo aage badhe jaa rahi thi...

aur unki prayer rang laayi....15 minute lagatar chalne ke baad bina koi rok rukawat ke finally hum us jagah par pahunch chuke the jahan se HAZELNUT trees ke jhund ki shuruat hoti thi...


MARIA-ye toh hum pahunch gaye,ab....????

FLORIN-thoda aur aage chalte hain...


ye bol hum teeno sidhe aage ki taraf chalne lage..kuch 200 metres chalne ke baad....


MARIA-ye HAZELNUT ki tree's toh kaafi zyada hain...hum kahan tak chalte rahenge....????

FLORIN-mai bhi yahi soch raha hun???aur is tokri ko pakde pakde mere bhi haath dukh gaye hain...

MARIA-isse yahin neeche rakh do..kuch der yahin khade rehkar sochte hain...


MARIA ki baat FLORIN ko sahi lagi aur isiliye unhone us tokri ko neeche rakh diya par tabhi.....


ZOOMMMM......


tokri ke us barfili zamin ko chute hi is awaaz ke saath wo tokri aur usme rakhe kapde ne veg pakadte hue gol gol ghumna shuru kar diya..

par us tokre ke andar rakha wo bada sa torch light neeche gir chuka tha...

wahin is adhbhudh scene ko ek dusre ke haath ko kas ke pakad aakhen faade dekh rahe the FLORIN aur MARIA...

surprised toh mai bhi tha but aadat se majbur, mera chehra normal hi tha...

kuch hi der me wo tokri aur wo kapda jaise hawa ke veg me ghul sa gaya....ab sirf ek tez gol chakra dikh raha tha jo bohot tezi se gol ghum raha tha....

is beech kisika bhi dhyan us Hazelwood tree ke patte ki taraf nahi gaya tha jo us bhawar rupi chakra ke neech zameen se thoda upar aaram se tair raha tha...

aur jaise hi us bhawar rupi chakra ne apni top speed pakdi,thik tabhi wo patta dheere dheere upar uthne laga...

us bhawar rupi chakra ka asar aas paas ke vatarvaran tak me ho raha tha..wo pura area halka halka kaampe laga tha but wahin us patte par toh jaise koi asar hi nahi pada tha....

wo araam se upar uththa chala gaya aur kuch hi der me wo paata us tez veg ke thik beech pahuncha aur aisa hote hi.....

us patte ke beech bhi kampan hona shuru hua...par is kampan ka asar alag tha...

har kampan ke saath patte ke beech se hote hue uska aakar badhte hue gayab hone laga tha...

aise lag raha tha maano wo patta us veg ke andar koi kaala chitr bana raha ho...

ye ek naya chamatkar tha jisse dekh FLORIN aur MARIA ki fati hui aankhen aur fat gayi...

wahin ab tak wo patta andhakar ka roop lete hue us veg ke charon siron me chipak sa gaya tha..

aur aisa hote hi ek naya chamatkar hua....us veg ke beech ke hisse se ek naya raasta ban gaya tha....

ek raasta jiska dusra sira kahin aur se nikalta tha....

FLORIN aur MARIA toh abhi bhi ye sab dekh kar shock me the par pata nahi kyun mera man hua us naye bane raaste me jaane ka isiliye maine apne kadam us taraf badha diye jisse FLORIN aur MARIA ka dhyan yahan aane ke baad pehli baar mujh par gaya aur...


FLORIN-RAAZZZ....kahan jaa rahe ho???yahan aao....


chillate hue FLORIN ne apni baat kahi wahin mere kadam bhi unki awaaz se ruk gaye..

mai unki taraf palat kuch kehne hi waala tha ki.....


USSE ROKIYE MAT FLORIN..BALKI AAP DONO BHI USSIKE SAATH SAAMNE DIKH RAHE PATH PAR AGARASAR HO JAAIYE...

ye ek nayi awaaz thi jo mere left aur FLORIN, MARIA ke right se aayi thi aur jaise is hamari gardan us awaaz ke taraf ghumi....


AAAAAAAAA...........


ek zordar chikh nikli MARIA ke mooh se..waise jo dikha,usse dekh dar toh FLORIN bhi bohot gaye the,but MARIA se ulat,unki zuban seal ho gayi thi.

wahin in dono se ulat jo mere saamne tha,usse dekh zindagi me pehli baar mere dil ko ek thandak mehsoos hui thi...

upar se toh mai normal hi dikh raha tha but andar se mai bohot khush tha....


reason....


hamare saamne ek bohot hi vishalkaay jaanwar tha jiska pura sharir ek alag hi urja se damak raha tha...

us daiytyakar jeev ke bade bade pair zameen se kuch inch uoar hawa me thehre hue the...

chehre par garv aur Khushi,aakhon me chamak liye wo mujhe hi dekhe jaa raha tha...

ab ek jaanwar jo kisi haathi se bhi zyada bada dikh raha ho, uspar uski banawat bhi behad alag ho,aur sabse alag aur anokhi baat,wo jaanwar insaano ki bhasha bol raha ho,toh dar toh lagega hi naa....

kuch der tak kisi ke bhi mooh se awaaz nahi nikli thi...aur shayad aage bhi nahi nikalti par jab FLORIN ne dekha ki wo daityakaar ajeeb jaanwar mujhe ghure jaa raha hai toh unhe dar laga ki kahin wo mujhe nuksaan naa pahuncha de isiliye....


FLORIN-R..RR...RRR....RRRRAAAZ mere paas aao....


haklate hue FLORIN ki awaaz nikli jisse mera aur us jaanwar,dono ka dhyan ek dusre se hata...

FLORIN ko dara hua dekh mai kuch kehne hi waala tha ki....


JAANWAR-dariye mat FLORIN...aap logon ko mujhse koi khatra nahi hai....


pata nahi kya jaadoo tha us jaanwar ki awaz me ki ek hi baar me uski baaton par bharosa sa ho gaya FLORIN aur MARIA ko....

MARIA-kaun ho tum???aur tum hamari language kaise bol paa rahe ho????

MAI-ye WOGER HAI.....

(HALF WOLF HALF TIGER)


us jaanwar ki jagah maine jawab diya jisse sun MARIA aur FLORIN shocked hi gaye....


MARIA-tum jaante ho isse????

MAI-pehli baar mil raha hun but haan,jaanta hun isse...

MARIA-ye kaisa jawab hua???jab mil pehli baar rahe ho toh fir jaante kaise ho????

MAI-mai bachpan se hi apne sapne me kayi baar iski jhalak dekhta aaya hun....

aur har shaam jheel ke paas maine isse mehsoos kiya hai....


meri baat sun FLORIN aur MARIA firse shocked ho gaye...


MARIA-kya isiliye tum har shaam us jheel ke kinare jaakar baiththe the???


MARIA ke sawal par maine haan me apna sir hilaya...


MAI-ek baat batao,wo tum hi the naa jisne MR GLOE ke bete ka haath toda tha....aur aaj bhi hostel me tumne hi mujhe baat ki thi naa!!!!


meri GLOE waali baat sun jahan ek taraf us jaanwar ne haan me apni mundi hilayi wahin FLORIN aur MARIA ko ab tak ka sabse bada jhatka laga...


MARIA/FLORIN-whattttt???isne usse maara tha..but tumne toh us din kaha tha ki....

MAI- maine shayad kaha tha..aur shayad haan bhi hota hai aur naa bhi....

mai us din neeche aaya toh pata chala ki Mr and Mrs GLOE baahar gayen hain bus unka beta RAVEN ghar par hai...

mai wahan rehna nahi chahta tha..but bina bataye nikal jaata toh mr and mrs GLOE phir public drama karte isiliye maine socha ki RAVEN ko batate hue chala jaaunga...

maine uske room ko knock kiya..but room kholte hi mujhe dekh wo bhadak gaya aur mujhe maarne ke liye apna haath uthaya...

but tabhi ek adrishya shakti jo ab pata chala hai ki ye tha,usne uske haath ko hawa me hi rok mod diya jisse uska haath toot gaya...

fir isne uske dusre haath ko bhi toda..ussi waqt uska haath mere saamne aaya jisse maine pakad liya..

ye wahi time tha jab us ghar ki maid ne mujhe RAVEN ka haath pakde dekha tha..usse laga ki maine hi RAVEN ki wo haalat ki hai isiliye usne sabke saamne mujhe hi doshi thehraya....


puri baat sunane ke baad...


FLORIN-par isne us bache ko mara kyun???

WOGER-usne RAAZ par haath uthaya tha..saza toh usse milni hi thi...

RAAZ, aaj aapko khud ke saamne dekh mai kitna khush hun,ye mai shabdon me bayan nahi kar sakta....

RAAZ-tum kya ho,ye toh mujhe pata ho but tum kaun ho,ye mujhe janana hai...

WOGER-jaanta hun...par mai majboor hun...khud kuch nahi bata sakta...

aapke saare sawalon ka jawab RAAZ hai...jisse aapko hi dhundna hai....jis din aap dhund lenge,mujhe bhi jaan lenge....

MAI-hmm..ab kya???kya tum bhi mere saath chal rahe ho???

WOGER-aapke bhi is dharti ko chhodne ka waqt aa gaya hai aur mere bhi..par filhal hum dono ke raaste juda hain..par hum bohot jald milenge....

MAI-kab???

WOGER-ye aapke upar hai???filhal jo darwaza aapke saamne hai,wahi aapke safar ki pehli sidhi hai... FLORIN aur MARIA ko lekar is darwaze ke dusre taraf chale jaayiye...

MAI-ye dono kyun???safar toh mera hai naa!!!!

WOGER-jis kashti par aap sawar hain,ye dono bhi ussi kashti ke sawari hai...

inka bhi us taraf jaana inki niyati hai...ab samay barbaad mat lijiye,jaldi prasthan kijiye...


ab tak FLORIN aur MARIA ka dar bhi kaafi kam ho chuka tha aur wo dono bhi us maayavi door ke dusri taraf jaana chahte the....

wahin mai kuch door der tak WOGER ko dekhta raha but fir....


MAI-chaliye....


FLORIN aur MARIA ko dekh maine apni baat kahi aur us darwaze ki taraf chal pada..wahin FLORIN aur MARIA bhi WOGER ko dekhte dekhte mere piche ho liye aur kuch hi palon me hum teeno us world gate ke dusri taraf pahunch chuke the aur aisa hote hi wo world gate band ho gaya...


WOGER-sambhal kar rehna RAAZ..tumhari taklifon ka daur ab shuru hone waala hai....


ye bol wo WOGER bhi ek urja roopi roshni ban gayab ho gaya.....




PLANET-UNKNOWN


PLACE- SOVEREIGN'S OFFICE



TUMHARE PUCHE GAYE SAWALON ME JO MUKHYA SAWAL HAIN,UNKE JAWAB HUM TUMHE DE DETE HAIN..BAAKI KE JAWAB TUMHE KAL SABKE SAATH MIL JAAYENGE....


MAHI ko apne apne naam batane ke baad SHAILA ne baat ko aage badhaya jisse MAHI bade gour se sun rahi thi....


SHAILA-sabse pehle ye jaan lo ki is waqt tum apne planet EARTH par nahi ho balki EARTH se hazaron lights door ELYSIAN naam ke planet me ho....


aur ye laga MAHI ko jhatka...usne sapne me bhi nahi socha tha ki aisa kuch bhi ho sakta hai...

aur isiliye MAHI ka jigyasu dimag active ho gaya...


MAHI-ELYSIAN!!!!matlab BLESSED......


MAHI ki baat par muskurate hue SHAILA ne haan me apna sir hilaya...


MAHI-but how is this possible...???ye sab kaise hua???i mean mere aage achanak ek door khulta hai jisse hote hue mai yahan pahunchti hun jo mere planet se hazaron light years door hai...

itna bada jump kaise possible hua...???? kya ye sab SUB-LIGHT SPEED SYSTEM KO VOYAGE DESTINATION KE CODES ke saath mix karkar kiya jaata hai yaa fir is planet me Supernova EXPLOSION IN A BINARY SYSTEM jaisi koi theory practically prove ki jaa chuki hai...


SHAILA-MAHI,gyan toh bohot hai tumme,par dhairya nahi hai...aur bina dhairya ke gyan waisa hi hai jaisa kisi gravitational field ke bina planet...

maine kaha naa,jo zaroori hai wo tumhe abhi pata chal jaayega aur baaki kal...


toh agar ab ijazat ho toh mai aage bolun???

MAHI ab tak samajh chuki thi ki uske saamne khade wo teeno shaksh filhal har cheez me usse bohot aage hain aur usse yun beech me baar baar interfere nahi karna chahiye isiliye...


MAHI-sorry,maine aisa kuch pehle kabhi nahi dekha hai aur naahi suna hai isiliye kuch zyada hi excited ho gayi...but ab aisa nahi hoga??? you please continue....


MAHI ki baat sun uske saame khade teeno ek baar fir muskura diye...


SHAILA-toh jaisa ki maine bataya ki tum abhi ELYSIAN planet me ho aur jis jagah tum is waqt khadi ho,wo ek META PHYSICAL INSTITUTION hai...ek tarah ka school/college aur iska naam THE CHOSENS hai....

aur hum teeno yahan ke SOVEREIGN hain.... (HEAD)


SHAILA ki baat sun pehle toh MAHI chownki aur kuch bolne ko hui par usne khud ko control kiya aur chup hi rahi....

par SHAILA MAHI ke man me uth rahe sawal ko jaise bhaamp si gayi
aur....


SHAILA-yahi soch rahi ho naa ki maine meta physical kyun bola???

MAHI-haan....

SHAILA-kya jaanti ho is shabd ke baare me???

MAHI-meta physical work wo kaam hote hain jinme pysical hone ki zaroorat nahi padhti...har kaam ko dimag aur man ki shakti se anjaam diya jaata hai....

MOKALSAR-one word me kahen toh....!!!!

MAHI-?MAGIC.....!!!!!


MAHI ki baat sun ek baar firse teeno muskura diye....


SHAILA-ek simple statement me magic ko describe karo....???

MAHI-SUPERNATURAL FORM OF SCIENCE....

AKSHAANT-keh sakte hain...but exact words hai the the ADVANCED FORM OF SCIENCE....

human brain ki rachna universe ki rachna ki hi tarah pechida hai...

jaise universe me anginat galaxies,star systems hote hain waise hi human brain me bhi anginat nerves hote hain...

aur ye jo nerves hote hain,ye nerves apni saari surroundings, saare elements se jude hote hain aur wo bhi kuch aise ki agar in nerves ko expose kar sahi train kiya jaaye toh wo in saari surroundings ko control bhi kar sakte hain...

itna hi nahi,kyunki har wo planet jisme life hota hai,usme gravitational aur magnetic field hote hain aur inhi fields ki wajah se universe ka har planet ek adrishya energy se linked hokar ek dusre se jud jaata hai,isiliye indirectly humara dimag bhi unme chhipi nerves ki wajah se un saare planets se jud jaata hai...

aur isiliye hi THE CHOSENS ek meta pysical institution hai kyunki yahan jo bhi student aata hai,wo CHOSEN hota hai aur wo isiliye kyunki uske wo nerves jinse wo meta pysical activity ko ya fir in your words magic ko anjaam se sakta hai,wo already exposed ho chuka hota hai,usse train kiya jaata hai taaki wo apni super natural capabilities ko haasil kar sake..

yahan par padhne waala har baccha yahan aane se pehle tak apne apne planets ka genius hota hai but yahan pahunchkar wo genius common ho jaata hai jisse wapas khaas banane ke liye tarasha jaata hai....


AKSHAANT ki baat sun jahan ek taraf MAHI ka ek side hairan tha wahi uska dusra side super excited tha...

aur ho bhi kyun naa??? MAHI ko hamesha se hi challenges pasand the but ab tak uske liye kuch bhi challenging nahi raha...

champion banane ka asli maza tabhi aata jai jab haarne waala bhi champion hi ho but MAHI ko ab tak aisa koi mila hi nahi but ab is nayi jagah me wo khaas nahi common thi...

jisse apni mehnat se khaas banana tha..usse yahan takkar dene waale kayi the aur yahi baat usse andar hi andar behad khush kiye jaa rahi thi....


SHAILA-MAHI.....


SHAILA ki awaaz sun MAHI apni soch se baahar aayi....


MAHI-yes ma'am.....

SHAILA-maam nahi SOVEREIGN...but agar ye naam bolna awkward lage toh short me SOVES keh sakti ho....

MAHI-ok ma'am i mean SOVES....

SHAILA-baaki baatein kal hongi MAHI..filhal tum rest karo... waise toh jinke mom dad nahi hote,unke liye ABODE (HOSTEL) me allotment kiye jaate hain but tumhare liye ghar le liya gaya hai... so you go and check it out.....

MAHI-but ma'am,mai ABODE me comfortably reh lungi....

SHAILA-MAHI.... arguments apni education,apni classes ke liye bacha kar rakho...

otherwise just do as told....


strict si awaaz padi MAHI ke kaano me jisse sun....


MAHI-sorry SOVES...

SHAILA-u should be....ab jaao,is door ke dusri taraf tumhara ghar hai...


apni baat kehte kehte hi SHAILA ne apne saamne ek magical door bana diya jisse chalte hui MAHI dusri taraf nikal gayi..

but is beech jab MAHI ne apna ek pair us magical gate ke andar rakha tha,tab uske man me ek anjaani but strong feeling ne janm liya but usse kuch samajh aaye usse pehle hi wo feeling gayab bhi ho chuki thi...

khair, ab jo nazara uske aankhon ke saamne tha,usse dekh MAHI ki aankhen badi ho gayi....

reason....

SHAILA ne MAHI se jis ghar ke baare me baat ki thi,wo ghar kisi palace se kam nahi tha....

palace ko dekh MAHI wapas palti par ye kya????

MAHI ke palatne se pehle hi wo magical gate band ho chuka tha.....

ek lambi saans le MAHI us palace numa ghar ke gate ke saamne pahunchi aur aisa hote hi wo gate automatically khul gaya...

aur agle hi pal MAHI ke saamne hawa me hi ek chota sa board udta hua aaya jisse dekh MAHI ke chehre par ek smile aa gayi...

board par likha tha WELCOME HOME MAHI jisse padh MAHI apne naye ghar ke andar chal gayi...


WAHIN MAHI KE JAANE KE BAAD......




SOVEREIGN'S OFFICE



KHATTT.....

MAY WE COME IN.....!!!!!

AKSHAANT-MR & MRS FLORIN,RAAZ....PLEASE COME IN...WE WERE JUST EXPECTING YOU....


jahan MAHI EARTH se sidhe SOVEREIGN ke office ke andar pahunchi thi RAAZ, FLORIN aur MARIA unki office ke just bahar pahunche the...

AKSHAANT ke bolte hi hum teeno us bade se office me enter hue...

ye wahi waqt tha jab MAHI magic gate ke zariye ussi office se hokar bahar nikli thi.....


office me ghuste hi hum teeno ne bhi us magical door ko band hote dekha tha aur uske band hone se pehle maine kisi ki peeche se halki jhalak bhi dekhi thi but fir wo door band ho chuka tha...

wahin FLORIN aur MARIA toh mere saath abhi abhi ek world door se hote hue hi yahan pahunche the isiliye ye sab dekh unhe zyada shock nahi laga..

unhe toh ye lagne laga tha ki unhone itna kuch dekh liya hai ki shayad ab unhe kuch bhi surprising nahi lagega but yahi unki bhool thi...

unke life ka sabse bada surprise,shock but a very pleasant happy moment unke saamne aane waala tha...

khair, FLORIN aur MARIA bade jigyasa se unke saamne khade AKSHAANT, MOKALSAR aur SHAILA ko dekhe jaa rahe the wahin wo teeno ek tak mujhe dekhe jaa rahe the...

mujhe dekh unhe meri utpatti ka din yaad aa raha tha..

teeno ke hi man me ek hi sawal gunj raha tha aur wo ye ki...


TEENO-LORDS ne iske janm se purv hame bataya tha ki ek bohot hi khaas shakti ka janm hone waala hai jisse aage chalkar unki galtiyon ko sudharna hai....

bas itna hi maalum tha un teeno ko RAAZ ke baare me...

aur ab shayad wo waqt aa gaya hai jab unke saamne khade RAAZ ke RAAZ UNFOLD honge, aisi unhe ummid hai....

unki jigyasa ka ek bada kaaran ye bhi tha ki in beetein saalon me unhone RAAZ ki kaafi saari activities dekhi thi..uski soch ko bhi kaafi hadh tak samjha tha aur wo ye dekhna chahte the ki yahan RAAZ kaise survive karta hai...????

par saath hi wo teeno ye bhi jaante the ki aisi soch waale bache se deal karna kitna mushkil ho sakta hai.....

sabhi apni apni sochon me goom the sivaay mere isiliye...


MAI-hum yahan kyun hain???


mere sawal se sabki jaise tandra tooti....


AKSHAANT-ab jab aap teeno yahan hain toh sab pata chal hi jaayega...

par jaisa addicate kehta hai,pehle introduction ho jaaye...

waise aap sabke baare me toh hum sab kuch jaante hain..isiliye hum apne aur is jagah ke baare me aapko batate hain...


ye bol AKSHAANT, MOKALSAR aur SHAILA ne apna apna intro diya aur saath hi is naye planet ELYSIAN aur is jagah jahan abhi hum the THE CHOSENS ke baare me wo sab jaankari di jo unhone kuch der pehle di thi jisse sun MARIA aur FLORIN bohot bure chownke but unke chownke ka reason ek nahi do tha...

pehla toh common tha..unhone apne wildest dream me bhi ye imagine nahi kiya tha ki aisi bhi koi jagah ho sakti hai....

par wo dusra reason jisne unhe behad shock kiya tha, wo tha is jagah par aane ke liye jis qualification ki zaroorat thi,super talanted yaa fir ye kahun ki one in a hundred million hona,is quality se toh mera door door tak koi naata hi nahi tha...

fir yahan aane ka nyota mujhe kyun mila hai,issi baat se MARIA aur FLORIN behad hairan the....

aur shayad unki is hairangi ko humare saamne khade SOVEREIGN ne bhaamp liya aur isiliye....


SHAILA-yahi soch rahe hain naa ki THE CHOSENS me jin qualities ko dhyan me rakh admissions hote hain,waisi koi quality toh RAAZ me hai hi nahi fir isse yahan kyun bulaya gaya hai???

FLORIN-jee....

SHAILA-qualities naa hona aur unhe show naa karne me kaafi antar hota hai...

RAAZ ka sirf mind hi tez nahi hai,balki iski mind ki setting bhi kaafi alag hai...

isne aaj tak kisi bhi competition me,activity me,exam me dilchaspi sirf isiliye nahi dikhayi kyunki isse wo saare competitions, exams bachkaane lagte the....

jin cheezon me expert banane ke liye logon ko saalon mehnet karni padhti hai,wo saari cheezen RAAZ bas ek baar me hi samajhkar kar sakta hai...

aise me usse EARTH ke logon ke saamne khud ko open karna insulting lagta tha...

sach keh rahi hun naa RAAZ????


jahan SHAILA ki baar sun chehre se toh mai normal hi raha but man hi man mai samajh gaya tha ki jis jagah par mai hun,ye jagah yahan ke log extra ordinary hai...

wahin mere saath khade FLORIN aur MARIA SHAILA ki baat sun ek baar firse hairan reh gaye the...


SHAILA-but RAAZ..ye EARTH nahi hai aur naahi yahan par padhne aur sikhne waale bache sadharan hain...

tumhari mental strength toh kaafi achi hai,but pysically tum kaafi kamzor ho....

aur jaisa ki maine bataya ki yahan meta physical strength ko explore kiya jaata hai..

waise toh isme dimag aur man ki strength ki zaroorat padhti hai but iska ek sira hamare appearence,humare pysical strength se bhi juda hai..

dil,dimag aur sharir,jab ye teeno saath mil kar kaam karen tabhi apni meta pysical channel ko tum activate kar paaoge warna yahan ke har task me earth hi ki tarah fail ho jaaoge...

bas fark itna rahega ki wahan tum isiliye fail hote the kyunki tumhe tumhara competition deserving nahi lagta tha but yahan isiliye fail hoge kyunki tum deserving nahi ho paaoge...


jaise hi SHAILA ne apni baat puri ki....


MOKALSAR-MR FLORIN & MRS FLORIN....har wo parent jinke bacche yahan pahunchte hain, wo parents bhi issi grah me reh sakte hain...

aur yahan aapki life style kaafi luxurious hoti hai jahan aapke saare sukh suvidhaon ka dhyaan rakha jaata hai...

aur sabse important baat,kyunki yahan padhne waala har baccha aage chalkar is universe ke aloukik kaamo ka hissa banta hai,isiliye unke parents ka bhi is pure bramhaand me ek alag samman hota hai..

isiliye hum chahte hain ki aap yahin rahen....aapke liye ek MANOR (bungalow) ready kiya jaa chuka hai...

FLORIN-is izzat afzayi ke liye bohot bohot shukriya...hum sach me is adbhudh duniya ka hissa banana chahte hain but ye possible nahi ho paayega...

aapse kuch chhupa toh hai nahi...aap ko bhi pata hai ki EARTH me hum ek orphanage chalate hain..agar hum yahan rahe toh wahan humare bacchon ka kya hoga????

AKSHAANT-wahi hoga jo ab tak hota aaya hai..


AKSHAANT ke aisa bolte hi humare saamne ek chalchitra dikhne lagi jisse dekh hum firse shocked hue..

reason....

us chalchitra me hamare earth se yahan aane ki video chal rahi thi...par shock hume tab laga jab humne dekha ki humare world door se andar aate hi hamari jagah HOIA FOREST me hamare clones ban gaye the jo hamare jaate hi wahan se nikal gaye the...

ye scene toh tha hi ajeeb but in sabke beech ek aur baat bohot ajeeb thi jispar kisine dhyan nahi diya tha aur wo ye ki us chalchitra me WOGER nahi dikh raha tha...

itna hi nahi, MOKALSAR, SHAILA aur AKSHAANT jinhe mere baare me kaafi kuch pata tha,unhe bhi WOGER ke baare me koi jaankari nahi thi....

khair,scene khatm hote hi wo chalchitra band ho gaya...


AKSHAANT-EARTH ke hisaab se aap teeno abhi bhi wahin hain..aap teeno ke clones jaisa aap teeno kaam karte the,waisa hi karte rahenge....

isiliye apne orphanage ke bacchon ki chinta aap naa karen...
yahan rehne me aur koi pareshani hai toh woh bataiye...


AKSHAANT ki baat sun kuch der tak ek dusre ko dekhte rehne ke baad...


MARIA-itna bada faisla hum yunhi itni jaldi kaise kar sakte hain????

SHAILA-faisla aap itminaan se kariye...waise aap yahan rahe,iska ek bohot bada kaaran hai hamare paas....

FLORIN/MARIA-hum samjhe nahi...???

SHAILA-abhi pata chal jaayega...par usse pehle RAAZ,kyunki tum orphan ho isiliye tumhe yahan hostel me rehna padega..waise yahan ke hostel bhi saari sukh suvidhaon se lais hain...


SHAILA ki is baat ko sun FLORIN aur MARIA ek baar firse shocked ho gaye...

MARIA-par abhi toh aapne kaha ki hamare liye yahan MANOR banaya gaya hai...

SHAILA-bilkul bana hai..par wo aapke liye hai, RAAZ ke liye nahi... RAAZ MANOR me tab reh paata jab aap uske mom dad hote....

MARIA-but hum yahan pahunche hi RAAZ ki wajah se hain.. bhale hi hum iske parents nahi hai but issike parents ki haisiyat se hi toh hume MANOR mil raha hak naa???

SHAILA-ye toh humne nahi kaha...


SHAILA ki baat sun FLORIN aur MARIA confused ho gaye the...


SHAILA-maine aapse kaha tha naa,ki aap yahin rahen,uska ek kaaran hai hamare paas...

aayiye...


ye bol bina kuch sune SHAILA, aur uske SAATH MOKALSAR tatha AKSHAANT office ke door ki taraf chal pade..

aur unhike piche mai aur mere piche chehre par confusion liye MARIA aur FLORIN aane lage...

wo teeno SOVEREIGN chalte chalte kuch gallaries ko cross karte hue ek room ke saamne jaakar khade ho gaye...

unke piche piche hum bhi wahan tak pahunch chuke the...

humare door par pahunchte hi us door ko kisine andar se open kiya maano usse pata ho ki hum yahan pahunch chuke hain...

darwaza open hote hi ek khubsoorat chehra hamare saamne tha....


LADKI-hello SOVEREIGN....

SOVEREIGN-hello MARILIZA....


wish karte hi MARILIZA ek taraf hat gayi aur aisa hote hi teeno SOVEREIGN aur unke piche piche hum sab us room me enter ho gaye...

room kaafi bada tha jiske right taraf ek bada sa master bed tha jispar dusri taraf mooh kar koi soya hua tha...


SHAILA-uthao usse....


SHAILA ki baat sun MARILIZA ne sir jhuka kar haami bhari aur agle hi pal haathon ko aage kar.....


PRATISAMBHUDDA

RESTORE D CONSCIOUSNESS


ek baar firse MARILIZA ne wahi spell bola jo last time bola tha aur uske aisa bolte hi uske haathon se ek white ray nikal us behosh pade shaksh ki taraf badh gayi aur jaise hi us ray ne us shaksh ke mastishk ko chua,uski chetna loutne lagi aur kuch hi pal me uski aakhen puri tarah khul gayi....

kuch pal sunya ko ghurne ke baad us shaksh ne khud ko uthaya aur agle hi pal uska chehra humari taraf ghuma aur jaise hi ye hua,kamre me khamoshi toh thi but ab wo khamoshi sannate me badal gayi...

par ye sannata sirf kuch palon ka hi mehmaan tha..kuch palon ke sannate ke baad wo room jisme hum sab moujud the,ek zordaar cheekh se gunj utha....

ye cheekh jo ki asal me ek naam tha jo MARIA aur FLORIN dono ke mooh se ek saath nikla tha...

ek aisi cheekh jo ab bhi pure room me gunj rahi thi aur lagatar us naam ko dohraaye jaa rahi thi....



wo naam jo saamne bed par lete shaksh ka tha...

wo naam jiski wajah se FLORIN aur MARIA yahan the...

wo naam jo FLORIN aur MARIA ko pura karta hai....

wo naam jo in dono ki aatma tak ko thandak pahunchta hai...

wo naam,wo chehra,unki rooh ka wo tukda jo kho chuka tha,aaj,abhi unke saamne tha...


WO NAAM-.............ALFREEN............




 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF RAAZ AUR MAHI EK NAYE PLANET ME BANE METAPHYSICAL SCHOOL ME PAHUNCHTE HAIN WAHIN DUSRI TARAF FLORIN AUR MARIA KO USSI INSTITUTION ME APNI MARI HUI BETI ZINDA MILTI HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-1

(UNFOLD THE RAAZ)



UPDATE-12




PLANET-ELYSIAN



PLACE-THE CHOSENS





GOOD MORNING......

GOOD MORNING MA'AM......


hamare saamne khadi ek lady jinhone ek pure white robe pehna hua tha,aur jiski wajah se ye pata chal raha tha ki wo hamari teacher hain,humare saamne aakar khadi hui aur hume morning greet kiya....


subah ka waqt hai....aur aaj hamara is nayi aur adbhudh duniya me bane is achambhit vidhyalaya THE CHOSENS me pehla din hai....

aage badhne se pehle kal raat se lekar ab tak jo jo baatein huin,uska maamuli aur aadha hissa pehle jaan lete hain...

baaki ka addha next update me.....


kal raat saari baaatein aur revalations hone ke baad mai hostel chala gaya tha....

aur jaisa ki SOVES SHAILA ne kaha tha,ye hostel sach ne kaafi acha tha...

6 manzila badi hai ye imarat numa hostel.yahan par dormitories nahi the balki sabhi students ke liye alag alag rooms bane the...

sabse kamal ki baat ye thi ki hamare kapdon se lekar saari zarooraton ka saaman yahan automatically ya fir sahi shabdon me kahun toh MAGIC se aa jaata tha...

aur toh aur hostel ka koi incharge bhi nahi tha par iska ye matlab nahi tha ki wahan rehne waale bache kuch bhi kar sakte the...

institution ka ek department issi hostel ka incharge tha..ye wahi log the jo yahan rehne waale students ki zarooraton ka khayal rakhte the aur magic se us zaroorat ko pura karte the....

hostel in out se SANDESHA UDANTAKA naam ke SPELL se sprayed tha jiski wajah se wahan hone waali har activity par authorities ki nazar rehti thi....

khair, office me SOVES SHAILA ne mujhe mere naam likhi ek parchi di thi aur fir ek magical door se mai us office se apne naye thikane,hostel ke baahar pahuncha...

hostel ke bade se gate ke saamne pahunchte hi mujhe gate ke beecho beech ek letter box jaisa kuch tanga dikha aur jaise hi maine apne naam ki parchi us box me daali,gate ke beecho beech ek magic door ban gaya jiske dusri taraf mera allotted room tha...

waise ek baat bata dun ki yahan ELYSIAN me bhi us waqt raat ka dusra pahar hi chal raha tha isiliye pura hostel khamosh tha....

room me aakar me so gaya..subah jab mai utha,fresh hua toh institution me pehene jaane waala dress jo ki white shirt,black pants,red sweater ya fir red jacket hain,in sab ki ek ek jodi saamne bed par rakhi hui thi..aur theek yahi teen extra pairs mere room ke cubbords me the...

footwear me black shoes yahan par pehne jaate hain....iski bhi ek jodi mere bed ke neeche aur do extra pairs cubbord me rakhe the...

ready hokar mai baahar nikla toh dekha ki school faculty ke do bande baahar lawn me khade hain aur unke saamne kuch students line me khade hue hain...

mai bhi unhike saath jaakar khada ho gaya aur fir hum sab hostel se baahar nikal institution ki taraf badh chale aur kuch hi der me hum institution ke andar the jahan pahunch un faculty members ne hume ek jagah khade rehne ko kaha aur chale gaye...

humme se kisine bhi abhi tak ek dusre se koi baat nahi ki thi...

reason..ab mera toh common reason tha aur wo ye ki mujhe kisise baat karni hi nahi thi but baaki sab isiliye chup the kyunki hum sabhi different planets se the, that means language barrier....

jahan hum hum khade the,uske right me ek dusra student group bhi khada tha jisse dekh kar lag raha tha ki wo bhi hamari tarah hi fresher's hain..

un sabhi ki nazar saamne ki hi taraf thi sivaay ek ke jo jab se mai yahan pahuncha tha,tab se mujhe hi dekh rahi thi....

ye aankhen aur kisiki nahi balki ALFREEN ki thi jo lagatar mujhe hi dekhe ya fir ye kahun mujhe hi ghuri jaa rahi thi....

khair,un faculty members ke jaane ke kuch hi der baad jo abhi hamare saamne khadi hain,wo ma'am aayin...


MA'AM-ADHERENT,DAB,MAVEN,BOFFIN,DILLENTE, SOLOMON, ARBITER....

aisa hi aur bhi bohot se words hai jo alag alag hokar bhi same hain..
ye saare words,language alag alag Planets ki hain but in same ye isiliye hain kyunki inka matlab ek hi hai...

GENIUS......

jo ki mujhe bataya gaya hai ki aap sab hain....but yahan students ko SAVENTS kaha jaata hai jo ki aaj se aap sab bhi hain...

waise mera naam OPHILIA hai..aur jaise students ko yahan SAVENTS kehkar bulaya jaata hai thik waise hi jo un students ko padhate hain,matlab hum,hume WIZZ aur WIZZDER keh kar bulaya jaata hai...

female instructor ko WIZZ aur male instructor ko WIZZDER...

ye toh hua aapka aur hamara common intro....ab mai aapko is mahan institution aur yahan par aap kya kya sikhenge,uske baare me batati hun but usse pehle aapko ek aur baat jaan leni chahiye aur wo ye ki....

jis tez dimag ki wajah se jo ki asal me GOD GIFT hai,aap sab yahan tak pahunche hain,sirf wo ab aapke kaam nahi aane waali hai....

is institution me naam kamane ke liye aap sab ko bohot zyada hard work,determination,aur sabse important focus ki zaroorat padegi....

jitna simple aap sab ke liye aaj tak ka safar raha hai,utna hi muskil aage ka raasta hone waala hai....

but i am sure ki aap sab mujhe,baaki WIZZES aur WIZZDERS ko and most importantly khud ko nirash nahi karenge...


& now about this PHENOMENAL INSTITUTION THE CHOSEN....


is institution ki sthapana aaj se 25 thousand saal pehle hui thi...aur tabhi se WIZZ SHAILA,WIZZDER MOKALSAR AUR WIZZDER AKSHAANT YAHAN KE SOVEREIGN HAIN....


aur ye laga hume aaj ka pehla jhatka...25 hazar saal se zyade umar ke hain AKSHAANT, SHAILA aur MOKALSAR.... unbelievable.....

OPHILIA WIZZ ki baat sun unke saame khade sabhi students or as OPHILIA said SAVENTS ek dusre ko dekhne lage the...


OPHILIA-ye shock feel karna ab chhod dijiye...mat bhuliye ki ab aap sab ek extraordinary safar ka hissa banane jaa rahe hain jahan impossible hi ek aisa shabd hai jo impossible hai...

so as i was saying,25 thousands purana hai ye institution....is istitution ke kul 3 PHASES hain...

PHASES...isse aap classes bhi keh sakte hain, semesters bhi keh sakte hain ya fir degrees bhi bol sakte hain....har PHASE 18 months ka hota hai....

in teen PHASES ke naam hain..


1ST-NEW BORNS jo ki aap sab hain...

2ND PHASE kehlata hai GROOMERS....

ye PHASE toh ek hai but isme teen catogories hai jinme aap sabko aapke is NEW BORNS PHASE me kiye gaye performance ke base par select kiya jaata hai..

in teeno catogories ka naam hai


1ST-WEAKLINGS....

ye wo catagory hai jisme is saal ke kamzor SAVENTS ko entry milti hai...


2ND-MEDIANS....

is catagory me is saal ke average SAVENTS shaamil hote hain....


3RD-STELLARS

ye wo prestigious catogory hai jisme is saal ke exceptional SAVENTS khudko register kar paate hain...

and mind u,ye catagories naa sirf aapka caliber justify karti hain balki aapke self respect aur life style bhi in catagories par dependent hain....

kaise,ye aapko is saal ke end hote hote pata chal jaayega....

but for now you are NEW BORNS.....

aage badhne se pehle let me introduce you to the rest of ur this year's faculty...

WHIZZ &WHIZZDERS...TIME TO SHOW YOUR SELF....


OPHILIA WIZZ ke itna kehte hi unke dono taraf ek dhuan sa utha aur dheere dheere us dhuen ne insaani akruti ka roop lena shuru kiya aur kuch hi palon me wo akrutiyan human form me hamare saamne thi jisse dekh SAVENTS ke mooh se ek saath apne apne bhasha me WOWWW nikal gaya...

wahin hum sabke saamne khade hamare is PHASE "NEW BORNS"ke WHIZZES aur WIZZDERS ke chehron par smile thi....


1ST-hello SAVENTS...mera naam OMMIN hai....

2ND-hello SAVENTS...myself NOX......

3RD-hello SAVENTS....i am VIOLET


OPHILIA-hum chaar is saal aapke is first PHASE ke WHIZZES aur WHIZZDERS hain....

OMMIN-so SAVENTS,aaj koi class nahi hogi...aaj hum aapko is mahan institution ka ek round karayenge...

or saath hi aapke wo seniors jinhone unke first PHASE me extraordinary performances di thi,unke baare me batayenge...

OPHILIA-waise aapke knowledge ke liye ye bata dun ki jahan is waqt aap sab khade the,kabhi wahan se hum chaaron ne bhi shuruat ki thi and with God's grace,aaj hume yahin apni wo knowledge jo hume yahin se mili thi,usse paas on karne ka mouka mila...


ye baat sunkar ki hamare saamne khade hamare teachers jinhe yahan WHIZZES aur WHIZZDERS kehkar bulate hain,wo bhi kabhi hamari hi tarah yahan ke students the, SAVENTS kaafi excited ho gaye the...


NOX-par round par jaane se pehle aap sab ki abhi ki sabse badi problem ko door kiya jaayega....

koi bata sakta hai kya???


NOX ke is sawal par baakiyon ke toh haath niche rahe siwaye ek ke..aur uske haath uthathe hi....


NOX-yes,tell me???

SAVENT-COMMUNICATION SKILL....


us SAVENT ki baat sun chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS ke chehre par smile aa gayi....


NOX-whats your name???

SAVENT-MAHI......

NOX-you are right MAHI....good....

aap sabhi alag alag planets se hain...aur har planet ki apni apni language hoti hai jo ki ek dusre se alag hoti hai...

aur yahi differentiation hume khatm karna hai...aap sab jo bhi language bolen,aapke class mates,fellowmates usse apni bhasha me automatically samajhen ye zaroori hai thik waise hi jaise hamari kahi baatein aapko apni apni language jaisi lag rahi hai...

aur isiliye......


BHASHIKA VIGRAHA KAROTI....

LANGUAGE DECODER......


NOX ke spell uccharit karte hi unke sharir me ek urja utpann hui jo unse hote hue hum sabki taraf badh chali aur dekhte hi dekhte wo urja hum sabke mastishk me sama gayi....


NOX-MAHI,aap kahan se hain???

MAHI-mai Earth se hun...


MAHI ke aisa bolte hi sabhi shocked hokar uski taraf dekhne lage jiska matlab tha ki sabhi ko uski language samajh me aayi thi wahin koi aur bhi tha jiske shock hone ka kaaran dusra tha....

ye aur koi nahi ALFREEN thi,jo ye jaankar shocked ho gayi ki aur bhi koi hai jo Earth se hai.....

waise kaayde se shocked toh mujhe bhi hona tha,but iske ulat maine toh abhi tak palat kar MAHI ki taraf ek baar dekha tak nahi tha...

naa tab jab usne NOX ke puche sawal ka jawab diya tha aur naahi ab....

khair, MAHI ke jawab dene ke baad....


NOX-ab se aap sab ek hi language me communicate kar paayenge...

OPHILIA-yahan ka kaam khatm hua,ab hum is institution ke rounds par chalenge...so SAVENTS,jis tarah ki line me aap abhi hai, waise hi hamare piche piche aayiye....

ye bol wo chaaron aage badh gaye wahin hum sab hostlers jo ki pehle hi ek line me the, unke piche ho liye wahin hamare piche dusri line jo discholars (jo hostlers naa ho) ki thi,
wo hamari side se hote hue saath saath chalne lage...

is beech ALFREEN jo shuru se hi mujhe ghure jaa rahi thi,ab uski aankhon me mere liye nafrat thi,jo har pal badhte hi jaa rahi thi....

par kyun??????




PLACE-HEAVEN




KYA BAAT HAI,WAISE TOH HAMESHA MUSKURATE REHTE HAIN,AUR AAJ JAB KAHANI US MOD PAR AA CHUKI HAI JAHAN SE IS ADHBHUDH RACHNA KA ASLI ADHYAYA SHURU HOGA,AAP KA CHEHRA SHAANT HAI????


ye baat AVANTIKA ne VIKRAM ko dekh kar kahi thi jiski aankhon ke aage wahi scene chal raha tha jo THE CHOSENS me ho raha tha...

AVANTIKA ki baat sun VIKRAM kuch kahe,usse pehle hi.....


ALESENDRA-sirf aapke pati hi nahi,samaan halat inke bhi hain...

inke chehre par aaye aise theherav bohot kam dekhe hain maine...


ALESENDRA ne ye baat ASMODEUS ko dekh kar kahi jo VIKRAM ki hi tarah shaant mukh se saare drishya dekh raha tha....

par un dono ki baat sun kar bhi VIKRAM aur ASMODEUS shaant hi rahe...


ALESENDRA-acha VIKRAM ek baat toh batao,us din tumne kaha tha ki ye kahani, iske saare paatr bhale hi tum dono ne rache hain par unhe kya karna hai,ye wahi tay karenge...

par yahan toh jaisa tum dono ne tay kiya tha,thik waisa hi ho raha hai...kisine bhi tum dono ki khwahish ke atirikt aur kuch bhi nahi kiya aur haalaton ko dekhkar lag nahi raha ki aage bhi kuch alag hoga toh fir inme un paatron ki khud ki bhumika rahi hi kahan???

AVANTIKA-ALESENDRA,in dono ka racha har khel,us khel ka har khiladi inki hi chaal par chalta hai....

bhale hi usse jitna bhi lage jo ho raha hai,wo uski wajah se hai,par uske har karm path ke piche ye dono hi hote hain...

dekhna,aage bhi aisa hi hoga...bas ek baar RAAZ ki rachna ko Saar mil jaaye toh is kahani ko uska sahi anjaam mil jaayega....



HAHAHAHAHAHAHAHAHA......

HAHAHAHAHAHAHAHAHA......



ye zordar hasi dono VIKRAM aur ASMODEUS ke mooh se nikli thi....

waise toh kisiko hasta dekh khudko bhi acha feel hota hai but yahan maamla pura Ulta tha....

VIKRAM aur ASMODEUS ki is achanak aayi hasi ko sun aur dekh ALESENDRA aur AVANTIKA shocked toh hui par saath me behad ghabra bhi gayi....

reason.....

ALESENDRA aur AVANTIKA jaante the ki is universe me chuppe anginat rahasyon se bhi gehra rahasya chhupa tha is HASI me....

dono ko hi ye pata tha ki ye puri kahani anginat bhul bhulayiyon se hokar guzarne waali hai,bohot si aisi chizen hongi jiski unhone kalpana bhi nahi ki hogi,par in saare anbujhe paheliyon me agar koi aisi paheli thi jo unhe pareshan kar sakti thi toh wo ye do hasi thi..

kyunki ye wo hasi thi jisse is kahani ke har sambhav taar jude hue the aur saath hi chuppe hue the saare

.......RAAZ.........

 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI RAAZ,MAHI,ALFREEN AUR SABHI SAVENTS KA NAYA SAFAR SHURU HO CHUKA HAI...

AB AAGE:-




CHAPTER-1

(UNFOLD THE RAAZ)



UPDATE-13




PLANET- ELYSIAN


PLACE-THE CHOSENS




SO SAVENTS...AAP SAB READY HAIN APNE IS NAYE SAFAR KE SHURUAT KE LIYE....

YES WHIZZ.....


is waqt hum apne institution ke bade se green lawn me khade the...aaj bhi kal hi ki tarah hum saare SAVENTS ne do lines banayi hui thi..

ek me hum matlab hostlers khade the aur dusre me discholars...

hamare saamne hamare is PHASE ke chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS khade the...

wahin unke beech me khadi OPHILIA WHIZZ ne pure josh aur excitement me apne haathon ko malte hue humse ye sawal pucha???

aaj hamare is naye safar ki asli shuruat honi thi jiski liye saare SAVENTS bohot excited the...

waise toh ye shuruat kal hi ho gayi thi par kal humne kuch sikha nahi tha....

kal pure institution hour me hume is adbhudh jagah ka bas round liya tha...

is beech hamare first phase ke chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS ne hame is institution ke itihas ke baare me bataya...

wo saare extraordinary SAVENTS jinhone yahan par excel kiya tha,humne unki tasveeren dekhi aur kissen bhi chune....

yahan ka education system bhi hamare worlds ke systems se bilkul alag tha...

jahan hamare exams ek band kamre me papers ke through individually hote hain,wahin yahan sab open me sabke saath hota tha...

kehne ka matlab ye hai ki yahan students yaani SAVENTS ko apne hi sabhi PHASEMATES se individually aur group me compete karna padta tha...

aur result bhi anokha tha..paas ya fail wala system hi nahi tha.. jaisa ki kal hi WHIZZ ne bataya tha ki hamare performance ke hisaab se hume khitaab milega aur wahi khitaab next PHASE me hamari pehchaan bhi hoga....

in sab ke beech VOILET WHIZZ se hume ye bhi pata chala ki ye institution teen hisso me divided hai aur teeno hisse teeno PHASE me bate hue hain...

kissi bhi PHASE ke SAVENT ko dusre PHASE me jaane ki,aur us PHASE ke SAVENT se baat karne ki ijazat nahi hai...

par har acadamic calander me ek baar saare PHASES ek jagah ikattha hote hain..

kyun,iska jawab baad ke liye WHIZZ ne taal diya tha....

khair,jaisa ki maine bataya ki ab hamare is naye romanchit safar ki shuruat hone waali thi....

aur iski shuruat karne ke liye OPHILIA WHIZZ aage kuch bolne hi wali thi ki....


MAHI-ma'am, i mean WHIZZ,can i ask a question???


kal hi ki tarah wo ladki jisne kal WHIZZ ke kisi sawal ka jawab diya tha,usne sawal puchne ke liye apna haath upar kiya....

OPHILIA-sure,go ahead...

MAHI- WHIZZ,kya yahan claasrooms nahi hote....aur hum kaun kaun se subjects padhenge...???


MAHI ke sawal ko sun chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS muskuraye aur....

OPHILIA-MAHI,udaa bhale hi aasman me jaata hai par har udaan ki shuruat zamin se hi hoti hai...

abhi toh aap sabko zamin mili hai,dheere dheere udna bhi aa jaayega...

MAHI sawal tab karo jab jawabon ke daur me koi jawab reh jaaye...


OPHILIA ki baat sun MAHI ko bhi laga ki apne excitement me uski timing gadbada gayi hai...

wahin uske baaju me khadi....


ALFREEN-thoda toh sabr kar le maate...hamesha khambe par chadhi rehti hai....

MAHI-haan yaar...baarish ka mousam aane se pehle hi raincoat pehen liya maine...


MAHI ki baat sun ALFREEN aur MAHI dono hi muskura diye....


OPHILIA-par chaliye,aapke is safar ki shuruat aapke hi sawal se karte hain??? classrooms yahan bhi hote hain but unme bhi sirf practicals hi hote hain...

aur rahi baat subjects ki toh yahan materialistic subjects ki padhayi nahi hoti...

haan aapko books milenge,par wo sirf spells memmorize karne ke liye honge...

aapke is saal ke books aapke aapke obode aur hostel me pahunch chuke hain...

aur unke usage ka tarika aapko kal se bataya jaayega....

aur sabse important baat,yahan par padhaye jaane waale subjects aap khud hain...


OPHILIA ki baat sun sabhi shocked ho gaye jisse hamare chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS ne bhaamp liya....


VIOLET-chownko mat.. sab samajh jaaoge...but pehle ek sawal ka jawab do...

neend ke waqt sapne me agar hum hawa me ud rahe hain,toh sense me aane ke baad waisa kyun nahi kar paate???


WHIZZ ke sawal par koi jawab de usse pehle hi..


VOILET-kyunki sapne me dekhi gayi cheez toh sirf ek vehem hoti hai...usse real me kaise kiya jaa sakta hai...???right????

SAB-RIGHT???

OMMIN-WRONG....real aur fake ke beech wahi fark hai jo magic aur illusion me hota hai...

hum sabke dimag me ek peripheral system hota hai,tantrika tantra jo hamare dimag ki bahari satah ka abodh hissa hota hai...

issi system ko agar sahi tarah se channelize ya train kiya jaaye toh ye system pure planet ke har energy aur magnetic field se jud sakta hai aur agar aisa ho gaya toh aapki kalpanayen aapki haqiqat ban sakti hain..

bramhaand ke baaki saare logon ke liye is peripheral system ka ek nirdharit daayra hota hai but aap sabhi SAVENTS ki soch aur us soch ki shakti ka koi daayra nahi hai..

har wo chiz jo ab tak aapke liye maatra ek kalpana thi,usse sach banane ke liye bas aapka self confidence,patience aur jaisa ki kal bataya gaya tha focus chahiye...

aur isiliye hi aap sab khudhi subjects hai jisse aapko explore karna hai..jitna zyada khudko explore karoge,utna zyada sikhoge....

NOX-ye toh hui subjects matlab aapki baat..ab karte hain object ki baat...META PHYSICAL CAPABILITY...simple word me kahun toh MAGIC.....

aur aaj hum bas inhi dono chizon par baat karenge.... SUBJECT matlab aap sab aur OBJECT matlab MAGIC.....

OMMIN-par iske liye hume 2 volenteers chahiye honge...so anybody interested????


OMMIN WHIZZDER ki baat sun sabhi SAVENTS ne jhat se apne apne haath upar kar liye... siwaye 3 ko chhod kar..


ye teen aur koi nahi mai aur mere dono side khade namune the...namune kyun,ye next update me pata chal jaayega....

khair,haath uthane ke maamle me bhi baazi ALFREEN aur MAHI ne maar liya tha...

kyunki in dono ke haath baaki sabhi se pehle uthe the jisse hamare saamne khade WIZZDERS aur WHIZZES ne dekh liya tha aur isiliye....


OMMIN-aap dono...aage aayiye....


OMMIN ne un dono ke taraf point kar apne paas bulaya jisse dekh wo dono khush ho gaye aur turant OMMIN ke next jaakar khade ho gaye....


OMMIN-aankhen band karo aur apne chitt ko puri tarah shaant karo....

aur jab meri awaaz sunayi de,tab khud ko udta hua mehsoos karo...


apne chitt ko shaant karna kisi bhi SAVENT ke liye piece of cake tha aur isiliye ALFREEN aur MAHI ne jaise hi apni apni aankhen band ki,unke chitt shaant hote chale gaye...

wahin un dono ke aankhen band karne ke baad OMMIN ne un dono ke sar par apna haath rakha aur...


ANUSAGGIKA NIRWESTAYATI....

UNWIND THE PERIPHERAL......


OMMIN ne is spell ko uccharit kiya..aur agle hi pal unke haathon se do safed urja ki kirane nikal MAHI aur ALFREEN ke sir me sama gayi...

wahin jab MAHI aur ALFREEN ko jaise hi OMMIN ki awaaz sunayi di toh unhone khud ko udta hua imagine karna shuru kiya aur unke aisa sochte hi.....

un dono ke pair dheere dheere zamin se upar uthne lage jisse dekh saare SAVENTS ke mooh khul gaye the....

5 feet tak upar uthne ke baad MAHI aur ALFREEN ka sharir aur upar nahi utha aur hawa me rook gaya.....

wahin MAHI aur ALFREEN dono ko hi ye ehsaas ho chuka tha ki wo hawa me uthe hue hain...

is ehsaas ke man me aate hi un dono ne apni apni aakhen khol di aur jab khudko hawa me uthe hue dekha toh un dono ki khushi ka thikana naa raha...

par ye khushi kuch hi palon ki thi kyunki fir dheere dheere un dono ka hi sharir wapas neeche utarne laga...

un dono ne koshish kari ki wo hawa me hi rahe, OMMIN ke kahe mantra ko unhone man hi man repeat bhi kiya par koi faayda nahi hua aur wo dono neeche zamin par aa gaye...

unke man me mantra uccharit karne ki baat ko OMMIN bhaamp gaye the isiliye...


OMMIN-mantra sirf keh dene se kaam me nahi aate...uski bhi apni ek vidhya hai aur wahi tum sabko sikhni hai...

jaao, apni jagah par jaakar khade ho jaao...


MAHI aur ALFREEN is naye anubhav se khush hote hue apni apni jagah par jaakar khade ho gaye....

wahin mere left side me khada banda toh mooh se laar tapkaye ALFREEN aur MAHI ki khubsoorti me hi khoya hua tha...aur issi madhoshi me....


KAASH YE DONO PARIYAN UDTE HUE MERI GODH ME AAKAR GIRTI... MERE LIYE TOH WAHI MAGIC BAN JAATA....


ye bol phute the mere left side khade mahanubhav ke mooh se jisse sun mere right side khade mahapurush ne unhe ghur kar dekha....

ye dono mahapurush mere saath hostel ke hi hain aur ye hi wo dono hain jinhone mere saath haath nahi uthaya tha but as said, inka intro next update me....


wahin MAHI aur ALFREEN ke apni jagah par khade hone ke baad...


OPHILIA-ye toh tha subject check...
ab baat karte hain us chiz ki jisse subject matlab aap sab khudko check karenge ya fir ye kahun ki khud ko nikharenge....

matlab MAGIC....

aap sabne dekha ki WHIZZDER OMMIN ne MAHI aur ALFREEN ke sir par haath rakh kar ek spell bola tha jiske baad hi MAHI aur ALFREEN ka sharir hawa me utha tha...

spell bolna toh aasan hai par usse kaam nikalwana utna hi muskil....

aisa kyun,iski detail aapko kal ke class me bataya jaayega but filhal ke liye short me bas itna jaan lijiye ki MAGIC ko successfully use me laane ke teen modes hai....

1ST- REQUEST MODE

2ND-COMMAND MODE

aur 3RD-ATTACH MODE


ab in teeno modes ko kaise excess kiya jaata hai,ye toh aapko kal ki class me pata chalega but usse pehle kal aap sabko hume ye batana hai ki ye teeno modes me hain kya??

ye aap sab ka aaj ka what to say, homework hai... jaisa ki aapko bataya jaa chuka hai ki aapke books aapke destinations me pahunch chuke hain,toh jaayiye aur answer check out kijiye......

we hope aapko aapke is nayi journey ki first class achi lagi hogi....

class dismiss...


ye bol hamare charon WHIZZES aur WHIZZDERS chale gaye aur unke jaate hi humara group jo ki hostlers ka tha,wo bhi hostel ki taraf badh chala...

wahin WHIZZDERS aur WHIZZES ke jaane ke baad...


MAHI-chal,jaldi se mere ghar chalte hain aur OPHILIA WHIZ ke puche question ka answer dhundte hain...

ALFREEN-pehle tu mere ghar chal...mom dad hum dono ka hi wait kar rahe hain...pehle saath me lunch karenge,uske baad answers dhundenge...

MAHI-cool chal fir....


dono hi ALFREEN ke ghar ki taraf nikal gaye.....

ek hi din hua tha in dono ko mile hue par dekh kar aisa lag raha tha maano dono bachpan ke buddies hon...

aaiye inki nayi nayi friendship ki shuruat kaise hui,ispar zara nazar ghuma lete hain...


MAHI aur ALFREEN ki friendship kal hui aur jab MAHI ko pata chala ki ALFREEN EARTH se hai toh ye friendship aur gehri ho gayi thi...

kal pure institution ke safar ke waqt dono alag alag muddon par ek dusre ko apni apni raay dete rahe jisse dono ka bond aur acha ho gaya...

ALFREEN ko jo ABODE allot hua tha, coincidentally wo MAHI ke baaju me hi tha...

jiske baare me jaankar ALFREEN aur MAHI dono ki khushi double ho chuki thi.... shaam ko hi MAHI FLORIN aur MARIA se bhi mili...wo bhi MAHI se milkar kaafi khush hue....

par saath hi unhe ye jaankar dukh aur shock bhi laga ki MAHI orphan hai..

dukh toh normal baat hai.. shock unhe isiliye laga kyunki orphan hone ke baawajud MAHI ko ghar allot hua tha wahin RAAZ hostel me rehta tha....

MAHI ke wapas apne ghar jaane ke baad FLORIN aur MARIA issi mudde par baat kar rahe the jisse sun ALFREEN ke kaano me wahi baatein gunj uthi jo kal raat gunji thi...kya???aayiye,ek din aur piche chal aaj ye bhi jaan lete hain....



SMALL FLASHBACK FROM YESTERDAY'S NIGHT......



AAP DONO TOH WAISE KE WAISE HI HAIN MOM,POPS...BILKUL BHI NAHI BADLE...


hickiyon ke beech apni awaaz ko sayyamit rakhne ki koshish karte hue ALFREEN ne apni baat kahi..

wahin FLORIN aur MARIA ka dil jo unki ek louti beti ke hamesha ke liye kho jaane ke gum me buri tarike se toot gaya tha,wo aaj wapas jud raha tha....

kisi waqt wo toot kar bhikarte hue roye the,wahin aaj wo dono wapas khudse khudko jodne ki khushi me roye jaa rahe the...

MARILIZA ke ALFREEN ko hosh me laane ke baad jab FLORIN aur MARIA ki nazar apni beti par padi,toh unke gale se hote hue ALFREEN ke naam ki cheekh har taraf gunj uthi thi...

par uske baad se abhi tak bas unke rone ki awaaz hi us room me sunayi de rahi thi...

hazaron baar chum chuki thi MARIA apni beti ko,wahin FLORIN toh bas kabhi ALFREEN ke haath pair ko chhukar toh kabhi khud ko chimatkar apne aap ko yakin dilane me lage hue the ki jo wo dekh rahe hain,wo sach hai koi sapna nahi...

haal toh ALFREEN ka bhi zyada alag nahi tha par kuch din pehle behoshi se uthne ke aur sacchayi jaanane ki wajah se usne jaldi hi khudpar kaabu paa liya tha aur abhi abhi jo baat usne boli thi,wo bhi uske mom dad ke mind ko light karne ke liye kahi thi....

par iska kuch khaas asar hua nahi.. FLORIN aur MARIA ke jasbaat itne gehre the ki sayammit hone me waqt toh lagna hi tha aur wo lag raha tha...

wahin in sabse thodi door khade teeno SOVEREIGN aur MARILIZA bhi saamne chal rahe drishya ko dekhkar dukhi bhi the aur Khush bhi...

SOVEREIGN ko khushi thi maa baap aur santan ke punah milap ki aur dukh isiliye ki milap se pehle ke virah ka kaaran kahin naa kahin wo teeno bhi the...

par in sabse alag mai peeche us bedroom ke darwaze ke paas chupchaap khada ye soch raha tha ki ye sab noutanki band hon toh mai hostel jaaun....

kuch der aur laga is bhawnaon ke tufaan ke thamne me par aakhirkaar ye tham hi gaya....

aur jaise hi MARIA aur FLORIN kuch normal hue tab unka dimag chalna shuru kiya jisne sabse pehle un dono ke man me dheron sawal paida kiye aur isiliye ek ek haath se abhi bhi apni beti ke haath ko thaam wo dono piche palte aur aankhon ke wo paani jo ab sukhne lage the,un aansuon ki rekhaon ko sawal ka roop dhara SOVEREIGN ki taraf dekhne lage...

same condition ALFREEN ki bhi thi...uske saath kya hua,ye toh usse pata tha,par kyun hua,ye usse janana tha...

wahin teeno SOVEREIGN bhi FLORIN, MARIA aur ALFREEN ki khamoshi me chuppe sawal samajh gaye aur....


SHAILA-jo hua,aapke nazariye se dekhen toh zyadti hai,par agar niyati ke nazariye se dekhen,toh jo hua, agar wo nahi hua hota,toh aap par zyadati ho jaati....


SHAILA ki baat un teeno me se kisiko bhi samajh me nahi aaya aur ye baat unke chehre ke expressions saaf bata rahe the isiliye....


AKSHAANT-baat lambi nahi hai par gehri hai... shaant man se suniyega...

jo bhi student yahan tak pahunchta hai,wo GOD GIFTED hota hai...uski ek alag hi jeeven urja hoti hai jo uske janm se kayi varsh purv hi paida ho jaati hai...

aur isiliye hume bhi us paida hone wale bachhe ke baare me purv se hi pata rehta hai...

wo jeeven urja us GOD GIFTED bacche ke paida hone tak adrishya roop se rehti hai aur jab us chune hue bache ka janm hota hai,toh uski wahi urja uske mastishk ki urja ke saath mil jaati hai jisse us bacche ka astitv pura hota hai....

har GOD GIFTED baccha apne surroundings ke liye ek blessing ki tarah hota hai but ALFREEN aur RAAZ ke maamle me wahi blessing curse me badal gayi....


RAAZ...is naam ko sun baaki sab toh normal hi rahe but ALFREEN chownki....


ALFREEN-RAAZ!!!!kaun RAAZ??? aur uska mujhse kya lena dena???


ALFREEN ke sawal par FLORIN ne meri taraf ishara kar ALFREEN ko mere baare me aur saath hi orphanage ke baare me bhi bataya....

sab kuch sunane ke baad...


ALFREEN- par iska mujhse kya lena dena???

SHAILA-PLANETS AURA ke baare me kya jaanti ho???

jawab ki jagah SHAILA ne ulta ALFREEN se sawal kiya jisse sun


ALFREEN-AURO living planets ka wo energy field hai jo us planet ke har celestial being se energy leti bhi hai aur unhe energy deti bhi hai...(FACT)

SHAILA-right...par is AURA ka tumse ya fir tumhare jaise har GOD GIFTED se ek alag connection hai...

ek GOD GIFTED bacche ke janm ke waqt uski jeeven aur mastishk urja ka pravah hadh se zyada hota hai..

itna zyada ki ye dono urja khud ko sambhal nahi paati aur iske extra kan apne aas paas ke pure surroundings me faile jaati hai...

aur tab us PLANET ka AURA us uncontrolled energy ko khud me sokh leta hai jiski wajah se us jagah ke area ka har energy field kayi guna zyada strong hojaata hai....

aur isiliye hi ek GOD GIFTED baccha apne surroundings ke liye blessing se kam nahi hota but tum dono ke case me iska ulat hua...

jaisa ki maine bataya ki jeeven urja ki wajah se hume pehle hi ye pata chal jaata hai ki aane waale samay me kaun sa GOD GIFTED baccha kahan paida hone waala hai,toh aise me jab humne ek hi jagah ke aas paas do do jeeven urja ko dekha toh hume shock laga....

aur wo isiliye kyunki sirf tum dono hi aise do GOD GIFTED bacche ho jo aas paas paida hone waale the...

isse pehle aisa kabhi nahi hua tha..iska reason bhi wahi AURA hi hai...

kyunki ek bacche se nikle jeeven aur mastishk urja me hi itni shakti hoti hai jisse mushkil se wahan ki surroundings sokh paati hai..

par us energy ko puri tarah se stabilize hone me 100 se zyada saal lagte hain but RAAZ ka janm tumhare janm ke 22 saal baad hone waala tha jiska matlab tha ek nayi jeeven aur mastishk urja ka tumhare grah ke satah se milna..

aur agar aisa ho jaata toh tumhari dharti ka ek bohot bada bhaag unstable ho jaata...

aur wo bhi kuch is tarah ki saikdon mile tak ki satah ek baar me hi deh jaati aur saath hi laakhon log mrityu ko praapt ho jaate....

aur isiliye hi tumhare 16 varsh ke hote hi tumhara accident kiya gaya jisse tum behosh ho gayi...

tumhare behosh hote hi tumhari jeeven urja ko nikal liya gaya jisse tum ek lambi neend me chali gayi..wo neend jisse tumhare grah me coma kaha jaata hai..

aur jab aisa hua,toh tum se nikli wo jeeven aur mastishk ki urja jo tumhare surroundings ki satah me samayi hui thi,wo bhi khatm ho gayi....

tumhe ussi haalat me yahan le aaya gaya aur wahan prithvi par tumhari jagah tumhare mare hue clone ko rakh diya gaya...


puri kahani sunane ke baad pure hall me sannata sa chaa gaya..FLORIN aur MARIA ka dimag shaant ho gaya tha,kyunki unhe samajh aa gaya tha ki agar aisa nahi hota toh najaane kitne log maare jaate aur uska kaaran anjaane me hi sahi par unki beti hoti...

par ALFREEN ka man ab bhi shaant nahi tha...par kyun????

har SAVENT ki hi tarah ALFREEN ka dimag bhi har tarah se kaafi tez tha...

uski aneko khubiyon me se ek bohot badi khubi thi uske instincts jo ki usse uske dad se virasat me mile the....

aur ek SAVENT hone ki wajah se uski ye khubi kayi guna multipy hokar nikhri hui thi...

har situation ke if and buts ko bohot ache se guess kar leti thi ALFREEN...

itna hi nahi,har tark,har disclosure ke waqt uska subconscious mind active ho jaata tha jo usse sahi aur galat ka sujhaav deta tha...

aur abhi bhi waisa hi hua...jab SHAILA puri kahani sunaa rahi thi tab...


ALFREEN'S MIND-YE SAB PURA SACH NAHI HAI......TERE AUR TERE MOM DAD KE SAATH JO KUCH BHI HUA HAI,USME KISI NAA KISI TARAH IS RAAZ KI INVOLVEMENT HAI...

DIRECTLY AUR INDIRECTLY,BUT THIS GUY IS SOME HOW RESPONSIBLE FOR UR PARENTS SUCH LONG SUFFERING...


ye the wo bol jo ALFREEN ke dimag me lagatar ghumte aa rahe the jisse wo nakarne ki koshish kar rahi thi...

par in sabke beech uski aankhen RAAZ aur uske filhall ke ATTITUDE par tiki thi...wo dekh rahi thi ki jo ladka kahin naa kahin itne bade haadse se direct juda hua hai,saari baatein sunane ke baad bhi uske expressions aise hain maano usse koi fark hi nahi pada hai....


SHAILA-i think aap sab samajh gaye honge ki jo hua,wo kyun hua???but fir bhi aapke itne saal ke pain ke liye we are extremely sorry....

MARIA-aapko sorry kehne ki zaroorat nahi hai....ye toh GOD ki marzi thi...jo baatein aapne batayi,uske hisab se toh jo hua,wo acha hi hua..warna najane kitne begunahon ki jaan chali jaati...

hume toh issi baat ki khushi hai ki hamari beti zinda hai aur aaj hume wapas mil gayi hai....


ye kehkar unhone apni beti ka maatha chum liya...


FLORIN-aur wo bhi ussi haalat me jaise pehle thi...ye toh ab bhi 16 saal ki hi lag rahi hai...

SHAILA- wo isiliye kyunki ye ab bhi 16 saal ki hi hai.... ALFREEN ke andar se jis jeeven chakra ko nikala gaya tha,uski wajah se iski umr bhi rook gayi thi jo ab firse shuru hui hai...

toh ALFREEN ab bhi 16 saal ki hi hai.....

AKSHAANT-ab jab saari baatein open ho chuki hain toh kya ab bhi aap wapas EARTH jaana chahenge???

MARIA-bilkul nahi...hum ab hamesha apni beti ke saath hi rahenge...

AKSHAANT-bohot ache..toh fir aap teeno apne alloted ABODE par chale jaayiye and RAAZ aapko hostel jaana hai...


AKSHAANT ke aisa bolte hi hum sabke beech do MAGIC DOOR khul gaye...

ek FLORIN and family ke liye tha aur dusra mere liye...


FLORIN-kya RAAZ hamare saath nahi reh sakta..wo bhi toh hamare bache ki tarah hi hai....


FLORIN ki baat ka SOVEREIGN kuch jawab dete usse pehle hi...


MAI- bacche ki tarah aur bacche me utna hi fark hota hai jitna nariyal ke andar aur bahar ke bhaag ka hota hai...

mai ek orphan hun...mujhe kisi ke adopted bheek bole jaane se zyada acha orphan bolne me lagta hai...and I'll like to keep it that way...


ye bol bina kuch sune mai hostel waale MAGIC DOOR se hote hue dusri taraf chala gaya....

wahin mere bolne aur jaane ke baad bhi kuch der tak SOVEREIGN office me shanti hi rahi but fir...


FLORIN-wo shuru se aisa hi hai..apne dil ki karta hai...ab hume bhi chalna chahiye...


FLORIN ne mahoul ko light karne ke kiye apni baat kahi jiske baad ALFREEN FLORIN aur MARIA SOVEREIGN se ijazat le unke liye khole MAGIC DOOR se hote hue apne alloted ABODE ki taraf chal diye...

par in sabke beech ALFREEN ka dimag ghum chuka tha.. apne instinct ki wo baatein jo ab tak wo nakarte hue aa rahi thi,ab usse sahi lagne lagi thi...

chehra toh uska shaant tha but dimag me ghussa bhara pada tha jo chikh chikh kar keh raha tha ki...


ALFREEN'S MIND-ek anath hokar bhi itni akad....koi naa,ab toh tu bhi yahi hai aur mai bhi,jaisa unsult tune abhi mere mom dad ka kiya hai,usse kayi guna zyada humiliation interest ke saath tujhe wapas karungi mai....

tutegi teri HIMMAT,jhukega tera EGO,aur khatm ho jaayega tera ye ATTITUDE.......






AAJ KE LIYE ITNA HI.....



AAPKA APNA V.J
 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF CHAARON WHIZZES AUR WIZZDERS SAVENTS KO SAAL KE PEHLI CLASS ME MAGIC KI KUCH BASICS BATATE HAIN WAHIN ALFREEN AUR MAHI KI ACHI KHAASI FRIENDSHIP BHI HO JAATI HAI.

AB AAGE:-



CHAPTER-1


(UNFOLD THE RAAZ)




UPDATE-14




PLANET-ELYSIAN


PLACE-CHOSEN'S HOSTEL




1ST-GHURNA BAND KARNE KA KYA LEGA TU????

2ND-JO MUJHE CHAHIYE WO TERE PAAS NAHI HAI???

1ST-KYA BOLA????

2ND-WO CHHOD...TU YE BATA DUKAN KIS CHIZ KI DAALI HAI TUNE???TABHI NAA BATAUNGA KI MUJHE KYA CHAHIYE....???


ye tark vitark ka jo aadan pradhan aap sab padh rahe hain,ye ho raha hai mere DO PHASEMATES jo ki saath hi mere sah hostlers bhi hain,unke beech...

aayiye,scene ko aage badhane se pehle aapka in do namuno se taaruf karwa dun......

waise taarif ke laayak taaruf nahi hai in dono ka par kahani ke nalayak kintu mahatvapurn paatr hain ye dono isiliye andekha nahi kar sakte....

filhal mai apne room me apne bed par baitha hua hun....aur in do mahanubhavon me se ek mere side me hi tika hua hai aur dusra mere saamne chair par baitha hai...

waise toh kaayde se intro sawal puchne waale se shuru kar jawab dene waale pe khatm karna chahiye par yahan zara ulta hoga..

pehle jawab dene waale ka intro jaan lijiye...

kaaran...inki taarif thodi zyadi hai....

toh jisne khudpar ghure jaane ka ilzaam lagne ka jawab diya hai,ye ek akhand chutiya hai aur iska naam iske is talent ki gawahi bhi deta hai....

kaise???aayiye jaante hain..iska naam hai.....


ACHHUTA....ye akhand chutiya ARROW naam ke Planet se hain...5.8 feet ke ek sadharan kadh kaathi ka meri hi tarah saawla sa banda hai ye...aur looks ki toh pucho hi mat...

upar waale ne isse banaya nahi balki assemble kiya hai...

16 saal ki umar me hi sir ke beech ka hissa chaand ban chuka hai..matlab saala chendwa hai..

sir se thoda niche aayen toh iski ek aankh kerela ko dekhti hai toh dusri kanyakumari ko...matlab saala bhainga bhi hai...

aur thoda niche aayen toh iske saamne ke do daath aadhe aadhe toote hue hain...matlab aadha adhura phopla bhi hai...

halka sa aur neeche aaye toh hothon ke beech ke hisse me halka gadha sa bana hai maano darar ho...

aur sone par suhaga,saala har waqt apne body ke kisi naa kisi part ko khujlata rehta hai....

mijaz ki baat karen toh har waqt apne me hi mast rehta hai ye banda..saamne waale ki kisi bhi baat kaa bura maanana toh isne sikha hi nahi aur naahi apni harkaton se kisi ko hasana aur irritate karne se baaz aata hai ye...

wahin dusri taraf mere saamne chair par baithe wo mahapurush jinhone ACHHUTA par ghurne ka ilzam lagaya tha,ye mahanubhav ACHHUTA se bilkul ulte hain..

inka naam SLUNDER hai aur ye CARAPACE naam ke planet se hain...

ACHHUTA se alag bhai sahab ke pure daath sahi salamat hai..infact kuch zyada hi sahi salamat hai..kehne ka matlab ye hai ki iske saamne ke kuch daath bahar ki taraf nikle hue hain...jisse isne shape me laane ke liye halka halka katwaya bhi hai par phir bhi daath bahar hi dikhte hain...

dikhne me ye bhi halka saawla hi hai...har waqt serious rehna aur even chote chote mazak ko bhi dil par le lena iski aadat hai...

iski hasi toh kayamat hi hai..waise toh ye zyada hasta nahi hai par agar hase toh soya hua pura mohalla bhi iski hasi ki awaaz se uth jaaye..

hamare pehle din ke class ke baad jab hum sabki language ko ek kar diya gaya tha,tabhi se ye dono mere room me pade rehte hain...

maine abhi tak in dono ki har baat par sirf haan yaa naa me hi jawab diya hai but jahan ek taraf ACHHUTA apne dheeth aadat ki wajah se yahi tika rehta hai wahin dusri taraf SLUNDER ko mera serious rehna acha lagta hai,isiliye wo bhi yahin paaya jaata hai..

ek aur reason bhi hai..in dono ke hi bedaul chehre aur sharir ki wajah se baaki ke sabhi hostlers in dono ko dekh mooh banate hain isiliye ye yahin mere aaju baaju hi bhinbhinate rehte hain...

intro khatm,scene shuru....


SLUNDER-abbe kitni bakwas karta hai tu din bhar...WHIZZ ne jo pata lagane ke liye bola tha,uske baare me tu padh nahi sakta kya???

ACHHUTA-haan,jaise uske baare me padh lene se kal hi PHASE 2 me entry mil jaayegi....

aur beta tu jo mujhe padhne ka gyan de raha hai,tu khud kya leke baitha hai???ORIGIN OF MAGIC...is book me hai WHIZ ke puche gaye sawal ka jawab par tu jisme aakhen gadaye baitha hai,ye toh wo book hai hi nahi....


darasal is waqt SLUNDER ke haathon me do kitaben thi...ek niche thi aur jo wo padh raha tha,wo kitab ORIGIN OF MAGIC nahi thi....


SLUNDER- wo mai already padh chuka hun...ye toh bus yunhi padh raha hun...

ACHHUTA-yunhi!!!!kamasutra ki kitab hai kya????mujhe bhi dikha toh zara...


ye bol excitement se ACCHUTA uthne ko hua toh....


SLUNDER-baith ja wapas chupchaap...ye aisi waisi kitab nahi hai...par dimag me jab gandagi hi bhari ho toh tu aur sochega bhi kya???

ACHHUTA-gandagi!!!!saale,jis kala ki wajah se pura bramhand bhara pura hai,uske baare me sochna,kahan se ganda hua???

saale,kamsekam tujhse aisi soch ki ummid mujhe bilkul bhi nahi thi..khaaskar ke tab jab tu aur mai,dono hi is adbhudh kala (kamasutra)ke jeete jaagte example hain...

SLUNDER-hain!!!!wo bhala kaise????

ACHHUTA-abbe apna aur mera naam bhul gaya kya???tere naam ke beech ke akshar(LUND)aur same to same,mere naam ke beech ke akshar(CHHUT).....

issi se toh duniya chal rahi hai....

SLUNDER-chhiii...saale,kitni gandi soch hai teri.....mai hi pagal hun jo yahan tere saath baitha hun....but now i am out of here....


ye bol SLUNDER uthne ko hua....


ACHHUTA-arre bhai bhai..tu toh naraz ho gaya...mai toh mazak kar raha tha....


ACHHUTA ne SLUNDER ko wapas chair me baithate hue bola...


SLUNDER-mujhe aisa mazak pasand nahi hai....

ACHHUTA-thoda time de,pasand aane lagega....

SLUNDER-tu fir shuru ho gaya...

SLUNDER ne bhadakte hue bola....

ACHHUTA-kya yaar..tu bhi baat baat par garam ho jaata hai..chal thik hai,nahi karta mazak..ab ek serious question puchun???

SLUNDER-tu aur serious????

ACHHUTA-lai..ab kaun ungli kar raha hai????


kuch der tak ACHHUTA ko ghur kar dekhne ke baad...

SLUNDER-puch??

ACHHUTA-tune apne daanth shape me laane ke liye halke halke katwayen hain kya???

SLUNDER-haan,kyun???

ACHHUTA-kharcha bhi aaya hoga????

SLUNDER-thoda bohot..par tu ye sab kyun puch raha hai???

ACHHUTA-isiliye kyunki tune faaltu me paise waste kiye...jabki mere paas tere daath ko ekdum shape me laane ka perfect tarika pata hai aur wo bhi free of cost....

SLUNDER-acha,toh bata naa,kya tarika hai????

ACHHUTA ki baat sun excited hote hue SLUNDER ne pucha....

ACCHUTA-arre,simple hai re...dekh,mai pehle tere gardan ko piche se pakdunga,aur fir tujhe dhakelte hue diwal ke paas le ke jaaunga..fir operation shuru... tere daanth ko ek diwal se dusre diwal aur fir dusre diwal se teesre diwal me ragadta chala jaaunga...

dekhna, ek minute ke andar tere pure daanth andar....


ACHHUTA ne bhi pure excitement me apni baat kahi jisse sun....


SLUNDER-MAADA***OD......


ghusse se kaampte hue chilla utha SLUNDER....

aur fir tezi se apne haath me pakde books ko fek maara usne ACHHUTA ke mooh par jisse jhukte hue ledeke bacha ACCHUTA...


ACCHUTA-abbe pagal ho gaya hai kya????itna acha idea diya maine...thanks kehne ki jagah ye sab kya kar raha hai tu???

SLUNDER-ruk saale..thik se thanks bolta hun tujhe...


ye bol behad ghusse se ACCHUTA ki taraf badha SLUNDER jisse dekh...


ACCHUTA-ye saala lundeshwar paagal ho gaya hai....nikal leta hun nahi toh bina sabun ke hi dho dega saala mujhe....bhai RAAZ, milte hain....

ye bol turant door se hote hue bhaga ACCHUTA aur uske piche piche bhaaga SLUNDER.....

wahin un dono ke jaane ke baad maine SLUNDER ki feki hui dono books uthayi jisme se ek toh hamare issi PHASE ki thi...

par jab meri nazar dusre book ke cover par gayi toh meri aankhen choti hoti chali gayi....

book ke panne paltate hue mere mooh se us book ka naam nikla...


"THE FORBIDDEN FOREST".......




PLANET- THE PAGAN (GODLESS)



PLACE-OUTSIDE THE CONCEAL....





KITNI AJEEB BAAT HAI NAA...JIS JAWAB KO HUM DHUND RAHE HAIN,HUME USKE SAWAL KA KOI CHHOR TAK PATA NAHI.....

kaale libaden me dhake ek shaksh jisne apne dono haath failaye hue the, aur jiske saamne bane CONCEAL se gaadhi kaali urja ke kuch kan uske sharir me pravesh karte jaa rahe the,uske mooh se ye shabd nikle the jisse sun....

isme naya kya hai???kintu in sabke beech ye mat bhoolo ki hum kaun hain???"VOTARIES"....

aur wo bhi PRIMES.....

ye ohda hamari zimmedari ko har pal badhata jaata hai....isiliye jo kartavya hume soumpa gaya hai, hume wo kisi bhi haal me pura karna hai...

jaisa pehle bolne waale VOTARY ke saath ho raha tha,thik waisa hi is dusre VOTARY ke saath bhi ho raha tha....

jahan ye conversation ho rahi hai,us planet ka naam hai THE PAGAN....aur jahan ye do log jo khudko VOTARIES bata rahe hain,khade hain,wo is Planet ka aisa chhor hai jiske aage ye nahi jaa sakte...

kyun???? aayiye jaan lete hain....

ye pura planet apne jitne bade size ke CONCEAL me ghira hua hai....

CONCEAL....ek kism ki chupi hui Shakti.....jisse dekha toh nahi jaa sakta par us apar shakti ko mehsoos kiya jaa sakta hai..

aur apne haath failaye ye dono VOTARIES ussi shakti se bhare samandar se khudko charge kar rahe hain...

par ye dono baat kis baare me kar rahe hain???aayiye inhi se jaan lete hain????

VOTARY 1-but us hal ko dhundte najaane kitni hi sadiyan beet chuki hai,par ab tak hamare haath kuch bhi nahi laga hai....

VOTARY 2-agar itna hi asaan hota toh ye kaam hume nahi mila hota....par hum haar nahi maan sakte,hume hamare lakshya praapt karna hi hai....

VOTARY 1-par kaise????

VOTARY 2-jawab pata hai tumhe..ab tak hum kul 2 hi aise hain jinhe PRIME RANK mila hai....

par hamari sammilit shakti bhi us kawach ko todne me asamarth hai par puri nahi....

par phir bhi,hum dono ki puri taakat lagane se us kawach me aadhi sendh lag hi jaati hai...

isiliye hume apne jaise hi aur do PRIME VOTARIES ki zaroorat hai...

4 PRIMES ki akjut hui shakti se wo kawach avashya toot jaayega...

VOTARY 1-mujhe aaj bhi is baat ki hairani hoti hai ki jab hamare SEARCH aur VISUALIZE SPELLS wahan kaam kar sakte hain toh fir hum wahan kyun nahi jaa paate....

VOTARY 2-spells urja se banti hai jo ki kisi hawa ke jhoke ki tarah hoti hai jo kahin bhi aa jaa sakti hai......wo jagah sirf logon ke liye pratibandhit hai...


jis chiz ki suraksha ke liye wahan wo kawach hai,usse hum dekh toh sakte hain,mehsoos bhi kar sakte hain par usse haasil nahi kar sakte......hume aur shakti ki awashyakta hai...

VOTARY 1-uske liye hume aur do PRIMES ki zaroorat hai..itne varshon me sirf hum hi do aise VOTARIES hue hain jinhe PRIMES ka khitab mila hai....

sadiyan beet gayi,par do toh chhodo, aisa koi ek bhi ab tak kaabil nahi nikla jisse PRIME banane ka rutba praapt ho sake...

VOTARY 2-har chiz ka ek sahi waqt hota hai..jo hum chahte hain,shayad uska abhi tak uchit waqt nahi aaya hai....

ek baar,bas ek baar hamari shaktiyon ki dhaar itni mazboot ho jaaye,jisse us sarhad ko bheda jaa sake...

ek baar,bas ek baar hamare spells ki tarah hamare kadam bhi us kawach roopi diwal ka laangh saken,phir dekhten hai kaise hamare kaam ki chiz humse bachi rehti hai aur kaise rok paata hai Hume wo


"FORBIDDEN FOREST"......




AAJ KE LIYE ITNA HI.....



AAPKA APNA V.J.....
 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF RAAZ KO SLUNDER KI EK BOOK MILTI HAI JISKA NAAM THE FORBIDDEN FOREST HAI WAHIN DUSRI TARAF ISSI NAAM KI KOI JAGAH KE BAARE ME DO LOG JO KHUDKO VOTARIES BATA RAHE HAIN,BAAT KAR RAHE HOTE HAIN..


AB AAGE:-



CHAPTER-1


(UNFOLD THE RAAZ)




UPDATE-15



PLANET-ELYSIAN


PLACE-THE CHOSENS




AGAR TUNE APNI BAKWAS BAND NAHI KI NAA,TOH TERE SAAMNE KE DO AADHE DAANTH KA BAAKI BACHA HISSA BHI TOD DUNGA MAI.....


subah ka waqt hai...hum sabhi NEWBORNS apne institution ke ek bade se claas me khade the...aaj bhi hostlers ek group me khade the aur dusra group banaye hamare left side discholars khade the..

but aaj mai apne group ke last me naa khada ho thoda aage aakar khada hua tha jiska reason ACCHUTA aur SLUNDER the...

dono ki nok jhonk se bachne ke liye hi aaj mai un dono se alag khada tha...

aur hua bhi wahi.....jo bhadkila awaaz abhi abhi nikla tha wo SLUNDER ka tha jo ACHHUTA ki bakwas sun sun kar jab pura pak gaya,toh usne ghusse me aakar uspar bhadakte hue apni baat kahi..


ACHHUTA-look who's talking...???saale daanth ki baat tu naa hi kar toh acha hai...mooh se bada daath lekar ghum raha hai aur mere daanth ko kam karne ki baat kar raha hai...

isse acha toh khud ko hi ek mukka maar le...shayad tere daanth tere mooh se chote ho jaayen....

ACHHUTA ki baat sun SLUNDER ko aur ghussa aa gaya...wo aur zyada bhadakte hue ACCHUTA ko kuch kehne hi waala tha ki tabhi usse main door se OPHILIA WHIZZ aati dikhi jiski wajah se wo chup ho gaya....


OPHILIA-good morning SAVENTS......

HUM-good morning WHIZZ....

OPHILIA-so u all are ready for today's class....!!!

SAVENTS-yes WHIZZ.......


sabhi SAVENTS ne badi excitement me jawab diya...(excluding RAAZ)


OPHILIA-par sabse pehle,abhi yahan jo practical hoga,uski theory aap sab se kal maine pata karne ke liye kaha tha...

aur mai dekh rahi hun ki aap sabke haathon me wahi books hain jiski theory aap sab ko janani thi...

iska matlab aap sabhi ko REQUEST,COMMAND aur ATTACH MODE ka matlab pata chal chuka hai...

SAVENTS-yes WHIZZ....


apni nazaren hum sabki taraf ghumate hue OPHILIA WHIZZ ne apni baat kahi thi but fir unki nazaren ek jagah ya fir ye kahun ki ek SAVENT par aakar rook gayi....

ye SAVENT aur koi nahi balki mai hi tha...par kyun????aayiye khud hi jaan lijiye....


OPHILIA-you,kya naam hai aapka????

MAI-RAAZ....


meri awaaz sun sabhi ki nazar mujhpar gayi aur issi dauran in teen dino me pehli baar MAHI ki aankhon ne bhi pehli baar mujhe dekha tha......

patla sa ek ladka,jiski aankhen bhi hamesha sunsaan aur thaki hui si lagti hai,kandhe halke neeche maano race shuru hone se pehle hi unhone haar maan li ho...chehre par halka sa bhi aakarshan nahi aur naahi koi tej jo har SAVENT ke chehre par dikhta tha...

aise me mujhe dekh uspar kaisa impression pada hoga,ye aap sab khud hi samajh lijiye....

waise mere catagory ka mai akela namuna nahi tha...ACCHUTA aur SLUNDER bhi meri hi tarah dabbu dikhte the but un dono ke chehre par bhi SAVENT waali chamak thi...

par phir bhi,mere, ACCHUTA aur SLUNDER ko agar chhod den,toh baaki ke sabhi SAVENTS kaafi attractive hain....

khair mere naam batane ke baad...


OPHILIA-RAAZ.....tumhari book kahan hai???

MAI-hostel me....

OPHILIA-hostel me???saath kyun nahi laaye...????

MAI-man nahi kiya...


mere jawab ko sun OPHILIA WHIZZ ke saath saath sabhi SAVENTS shocked ho gaye the...

but OPHILIA WHIZZ shocked hone ke saath hi thodi naraz bhi ho gayi aur isiliye....


OPHILIA-do you even realize ki tum kya aur kisse bol rahe ho...???

MAI-ek passed out student jo ab yahin ka teacher ban gaya ha,usse keh raha hun..aur jo kaha hai,wo aap sun chuki hain...

and i dont like to repeat myself....


mere is jawab ko sun SAVENTS aur shocked par OPHILIA aur ghussa ho gayi thi...


OPHILIA-who the hell do you think you are....???aisa behaviour CHOSENS me tolerate nahi kiya jaayega...

u will have to do each and every thing as u are ordered to....

understand.....

MAI-nope....i dont understand and i never will...aur jahan tak baat apke is so called CHOSENS ki hai,toh yahan mujhe bulaya gaya hai..yahan aane ke liye maine apply nahi kiya tha.....

so the bottom line is this...i am not bound to anything... and as for you,aap puch sakte hain,bata bhi sakte hai par order nahi de sakte....


ab toh OPHILIA WHIZZ ka dimag hi ghum gaya tha...unka bas chalta toh wo abhi issi waqt kisi jaanleva spell se meri haalat bigad deti but as a WHIZZ,wo ye nahi kar sakti thi...

par wo yun is matter ko jaane bhi nahi de sakti thi..aaj tak ke CHOSENS ke history me kabhi kisi student ne kisi WHIZZ se aisi baat toh nahi ki thi...

ye unke liye naakabile bardasht tha aur isiliye bina kuch kahe,wo SOVEREIGN ke office ki taraf badh chali....

wahin unke jaane ke baad ACCHUTA aur SLUNDER turant mere paas aaye aur...


ACCCHUTA-abbe pagal ho gaya hai kya????aag ke upar pichwada nahi seka karte...gaa**d jal jaati hai...

saale,hume yahan teen PHASES nikalne hain..aur tu hai ki shuru me hi khud ki lene par tul gaya hai...

SLUNDER-RAAZ,i didn't expect this from you....mai toh tumhe ek sencere aur serious ladka samajhta tha par tum toh is ACCHUTA se bhi zyada galat ho...

ACHHUTA-abbe,tu shawl me lapetke mujhe hi joota kyun maar raha hai...???

saale,matlab koi bhi kuch galat karega toh tu mujhse compare karkar usse rank dega kya???

SLUNDER-tu chup kar.. tere se kisika koi comparison hi nahi hai..licchadpan ki aakhri hadh hai tu....

MAI-tum dono ki bakwaas nahi sunane ke liye hi mai aaj alag khada hua tha...phir bhi mere paas aakar hi bhownk rahe ho dono....

aur SLUNDER,ek baat bata,tu hai kaun mujhse expectations rakhne waala...

maine kaha tha mere liye raay banane ko....apne kaam se kaam rakhna sikho tum dono aur sabse pehle mere aas paas bhinbhinana band karo....


meri baat sun dono ne ek baar mujhe fir ek baar ek dusre ghura aur apni apni jagah jaakar khade ho gaye...

yahan hamari hostlers ki line me toh meri hi baat chal rahi thi, par same chiz discholars ke line me bhi ho rahi thi...

aakhon me awishwas liye wo sab bhi meri hi taraf dekh rahe the...

aur in aankhon me MAHI ki aankhen bhi thi jo mujhe dekh....


MAHI-who is this guy man????itna ATTITUDE!!!!!

ALFREEN-he's a bloody basterd.....


MAHI ke baaju me hi khadi ALFREEN,jo mujhe ghusse se hi dekh rahi thi,uske mooh se mere liye ye pyar bhare shabd nikle....

wahi ALFREEN ki baat sun jab MAHI ne uski taraf dekha,toh uske chehre ke haaw bhaaw dekh wo samajh gayi ki ALFREEN mujhe pehle se jaanti hai aur isiliye...


MAHI-u know this guy???

ALFREEN-haan..ye bhi EARTH se hai....aur ek number ka ehsaan faramosh ladka hai.... jaisa behaviour isne abhi dikhaya hai,yahi iska character hai...isse kisiki bhi feelings se koi matlab nahi hai...

itna hi nahi,ye wahi hai jiski wajah se mujhe jite ji maar diya gaya tha...

mere mom dad itne saalon tak mujhe mara hua samajh tadpe...

ye unhike orphanage me bada hua hai....par fir bhi mere mom dad ki bilkul bhi respect nahi karta...

jinhone iski zindagi bachayi,isse ek achi khaasi life di,jab ye unka nahi ho paaya toh fir yahan ka kaise hoga????


ALFREEN ne MAHI ko abse pehle bas itna bataya tha ki kisi aur GOD GIFTED bacche ki wajah se usse 22 saal pehle yahan laaya gaya tha aur kuch dino pehle hi wo wapas hosh me aayi hai...

isse zyada usne kuch nahi kaha tha..but ab baaki ki baat sun MAHI ko behad hairani hui....par usse ALFREEN ki RAAZ ke uske mom dad ko disrespect karne waali baat hazam nahi hui...

kyunki RAAZ bhi ek SAVENT tha..aur ek SAVENT ki soch normal insaano se kayi guna zyada aage ki hoti hai...

fir aise me RAAZ ka itna negetive hona,usse jach nahi raha tha aur isiliye...


MAHI-yaar baaki sab toh thik hai..but agar RAAZ ko tere mom dad ne bade hone me help ki hai toh wo unse kaise disrespectful ho sakta hai...????

ALFREEN-chal,demo dikhati hun....


ye bol ALFREEN meri taraf badh gayi aur uske piche piche MAHI....




WAHIN SOVEREIGN OFFICE ME:-




YES COME IN WHIZZ OPHILIA....


SOVEREIGN ki office ke darwaze par knock hua jisse sun andar baithe SOVES AKSHAANT ne wahan moujud magical sensors se ye jaan liya ki bahar WHIZZ OPHILIA aayi hui hain...

wahin permission milte hi WHIZZ OPHILIA andar ghussi aur...


OPHILIA-SOVES....mujhe aapse ek SAVENT ke baare me baat karni hai...


OPHILIA ki awaaz me seriousness aur ghussa saaf jhalak raha tha jisse AKSHAANT bhaamp gaye the...


AKSHAANT-okay...kis SAVENT ke baare me???

OPHILIA-RAAZ....


RAAZ ka naam sunte hi AKSHAANT ke kaan khade ho gaye the....


AKSHAANT-bolo,mai sun raha hun???

OPHILIA-sir, CHOSENS ke puri history me itna battamiz SAVENT aaj tak nahi aaya hai...he has no manners..no addicates....

usse baat tak karne ka lihaz nahi hai...he is a complete douchebag....


RAAZ ke baare me aisi baatein sun AKSHAANT man hi man kaafi hairan hue but unhone apne face par bina koi reaction laaye...


AKSHAANT-hua kya hai OPHILIA????


AKSHAANT ke sawal par jawab dene ke bajaye OPHILIA ne....


OPHILIA-DRISHTI VARGHAMAN

SHOW THE SEEN


OPHILIA ne ye spell bola jiske uccharit hote hi uske aankhon se ek roshni nikal uske aur AKSHAANT ke beech rook gayi..

aur agle hi pal wo roshni ek chalchitra me badal gayi jisme wahi scene chal raha tha jo OPHILIA aur RAAZ ke beech ghata tha...

jaise jaise scene aage badhta gaya, AKSHAANT ke chehre par hairani ke bhaav aate gaye..

unhe yakin nahi hua ki jiske baare me janane ke liye wo khud itne utsuk hain,wo RAAZ aisa niklega...

AKSHAANT ko ye toh nahi pata tha ki RAAZ special kyun hai,par RAAZ ki OPHILIA ke saath hui baatein sunkar ab wo sochne lag gaye the ki RAAZ bhala special ho kaise sakta hai????

but saath hi wo ye bhi jaante the ki bhale kuch bhi ho, RAAZ jinki rachna hai,unke faislon par sawal nahi uthaya jaa sakta aur isiliye...


AKSHAANT-OPHILIA....mai chahta hun ki tum RAAZ ko avoid karo aur baaki ki class par dhyan do....

agar RAAZ khud kuch puche ya kisi activity me part lena chahe,toh hi usse involve karo varna let him be.....


AKSHAANT ki baat sun OPHILIA ka toh sir hi ghum gaya tha...

kahan wo ye soch kar aayi thi ki jo hua usse dekh AKSHAANT RAAZ ko punish karenge but yahan toh sab pura ulta hi ho gaya tha...

usse toh jaise AKSHAANT ki baat samajh me hi nahi aayi thi aur isiliye wo kuch kehne ko hui par....


AKSHAANT-mai jaanta hua OPHILIA ki meri baat sunkar tumhe shock bhi laga hai aur bura bhi..

but trust me,maine jo bhi kaha hai,sirf yahi ek option hai...

AKSHAANT ki baat toh ab bhi OPHILIA samajh nahi paayi par AKSHAANT ke chehre ke bhaav ko dekh wo samajh gayi thi ki unhone jo bhi bola hai,bhale hi kadwa hai but sach hai...

par phir bhi OPHILIA ke andar chal rahe uthal puthal ne usse chain naa aane diya aur isiliye uske mooh se chota but important sawal nikal hi gaya...


OPHILIA-why SOVS???kyun????

AKSHAANT-filhal iska jawab mere paas bhi nahi hai OPHILIA...aur naahi mai is layak hun jo khud is jawab ka kaaran dhundu...

tumhe bas wahi keh sakta hun jo khud se kaha hai...

intazar karo sahi waqt ka....is naye RAAZ ke UNFOLD hone ka....


ab koi topic bacha nahi tha conversation ka,isiliye OPHILIA chupchaap SOVEREIGN office se baahar nikal gayi....



BACK TO HERO:-


RAAZ,APNE TEACHER SE AISE BAAT KARTE HAIN KYA????


mujhe ye gyan diya tha ALFREEN ne jo MAHI ke saath mere paas apne point ko proove karne ke liye aayi thi...

ab jab wo yahi chahti hai toh yahi sahi.......isiliye......


MAI-us raat jab tumhe first time dekha tha toh laga tha ki tum bhi mere aur baaki orphanage ke bacchon ki hi tarah adopted ho...

but ab tumne proove kar diya ki tum FLORIN sir ki real genetically produced beti ho...

ALFREEN-matlab???

MAI-tumhare andar bhi tumhare baap ki khubiyan jo hain...dusro ke kaam me ungli karne ki....


meri baat sun ALFREEN ka dimag kharab ho chuka tha but usse zyada bura MAHI ko laga tha....uski eklouti dost aur saath hi uske pitaji ki beizatti jo ki thi maine...aur isiliye.....


MAHI-mind your tounge...

MAI-and you guyzzz,mind ur own business.....ye ek behatrin tarika hai khud ki insult naa karwane kaa....

itna kuch sikhoge yahan,lage haathon ye hunar bhi sikh lena....

ALFREEN-beta,3 phases nikalne hain tujhe yahan....tu soch bhi nahi sakta ki kya haal karungi mai tera itne waqt me...

MAI-BETA!!!haan,tum aisa keh sakti ho...16 saal ki dikhne me aur 16 saal ke hone me fark toh hota hi hai...

22 saal se mari padi thi tu yahan,toh is lihaz se toh tu meri maa ki umr ki hi hui....

ALFREEN-MAA....is shabd ka matlab bhi pata hai tujhe....kaise pata hoga,hoti toh jaanta naa....

MAI-teri toh MAA hai naa...tune kya ukhad liya...22 saalon se ek anath ki hi zindagi toh jee rahi thi tu...oops,correction..so rahi thi tu....

umr ke lihaz se dekhen,toh tu mujhse bhi high ranked anath hai...

MAHI-bas.. bohot hua..sirf isiliye kyunki tu is prestigious institution ka anchaha hi sahi but ek part hai,teri ye saari bakwaas sun rahi hun mai...

warna sirf 2 minute lagenge,mujhe tere is shakal aur AKAD ko todne me....

MAI-AKAD???jisse tu akad keh rahi hai,wo mera sach hai..aur itihas gawah hai,sach taklif hi deta hai...

aur rahi baat teri,toh khol apna magaj aur bas itna samajh,ki teri soch se baahar hai meri AKAD,

aur teri aukaad se baahar hai mera ......ATTITUDE......





AAJ KE LIYE ITNA HI....



AAPKA APNA V..J....
 

Top