Fantasy ATTITUDE (KABHI ANGEL KABHI DEVIL) (vj4u)

Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI TEST HI KI TARAH SOUL AMPLIFICATION KO TRIGGER KARNE ME BHI MAHI KAAMIYAB HOTI HAI WAHIN EK BAAR FIR MAHI AUR RAAZ KE BEECH BEHES HO JAATI HAI....


AB AAGE:-



CHAPTER-1


(UNFOLD THE RAAZ)



UPDATE-30



PLANET-ELYSIAN


PLACE-THE CHOSENS




MAHI, FILHAL TUMHARI CLASS ALAG LAGEGI....


class me ghuste hi OPHILIA WHIZZ ne ye baat kahi jisse sun MAHI ke saath saath sabhi SAVENTS bhi chownk gaye....


OPHILIA WHIZZ-hairan hone ki zaroorat nahi hai SAVENTS...ye change bas temporary hai...

darasal kal MAHI ne apne soul ko AMPLIFY kar liya hai...

aur jab bhi koi SAVENT aisa karta hai toh uske brain,body aur blood ka AURA kaafi guna badh jaata hai jiska asar uske har METAPHYSICAL activity me dikhta hai aur jo har non soul amplified SAVENT ke liye pareshani create kar sakta hai...

is AURA ko neutralize karne ke do hi tarike hain..ek hai khudki shaktiyon se hone waale prabhav ko niyanyrit karna jisme kaafi waqt lagta hai aur dusra hai kamsekam 5 SAVENTS ka soul AMPLIFY hona jisse un sab ka aura ek dusre se takrakar khudhi nuetralize ho jaata hai..

toh isiliye jab tak aap me se kamsekam 4 SAVENTS is kaabil nahi ho jaate ki wo apne soul ko AMPLIFY kar len tab tak MAHI ki classes alag lagengi....

so MAHI,aap issi corridor ke last class me jaaiye,wahan aaj se kuch dino tak VIOLET WHIZZ aapki class lengi....


MABEL aur ALFREEN ko classes ke liye all the best bolte hue MAHI apni nayi class ki taraf chal di...

kyunki baaki sabke normal classes chaalu hain,isiliye filhal hum MAHI par hi concentrate karte hain....


MAY I COME IN WHIZZ....???


class ke door par pahunchte hi MAHI ne ye baat kahi jisse sun...


VIOLET-come in MAHI....

akele class karna tumhe thoda awkward lagega MAHI but filhal ye zaroori hai...

MAHI-i understand WHIZZ....

VIOLET-waise ek baat batadun ki ye moment jo filhal tum jee rahi ho,wo har kisiko naseeb nahi hota..har batch ke best SAVENT ko hi yun alag class aur teaching provide ki jaati hai...


VIOLET WHIZZ ki baat sun MAHI bas muskura di...


VIOLET-toh chalo,aaj ki class shuru karte hain...kyunki ab tumne apne SOUL AMPLIFICATION ke process ko trigger kar liya hai isiliye ab tumhare brain, body aur blood ke amplification bhi soul ke saath hi honge...

kehne ka matlab hai ki abse tumhari chaaro classes ek saath merge ho jaayengi...

isse tumhare chaaron AMPLIFICATION tez bhi honge aur strong bhi...

ye toh hum sab jaante hain ki hamare pure body ko hamara brain instruct karta hai par soul is bandhan se azaad hoti hai...

aur isiliye ye maana jaata hai ki soul ke paas bhi apna ek dimag hota hai..saath hi soul ki urja ko uska body aur blood bhi bola jaata hai...

is revalation ke hisaab se soul bhi apne aap me ek living being hai aur behad strong hai...

ab baat karte hai merging ki..brain,body,blood aur soul ki merging....

par usse pehle ek baat batao,in chaaron AMPLIFICATION me aisa kya hai jo common hai...???

MAHI-urja...

VIOLET-exactly..urja jo in chaaron me behti hai... merging process me karna ye hota hai ki tumhe ek nahi do baar apne CEREBRATION process ko pause karna hota hai...

pehle pause me tumhe apne brain,body aur blood ko jodna hota hai aur dusre pause me soul ko in teeno se....

MAHI-par WHIZZ,ye toh single pause se bhi kiya jaa sakta hai naa...

i mean issi process se hi toh maine apne SOUL AMPLIFICATION ko shuru kiya tha...

VIOLET-correction..shuru nahi bas trigger kiya tha..trigger aur shuru hone me utna hi fark hai jitna ek bike ke ignition ko start karna aur us bike ko aage badhane me...

current supplier se current ka ek proper supply aur bike shuru ho jaati hai thik waise hi ek proper circulation aur tum apne soul ko trigger kar paayi..

par bike ko aage badhane ke liye ek pure mechanism ki zaroorat padti hai aur waise hi apne SOUL AMPLIFICATION ko aage badhane ke liye tumhe ek pure mechanism check se guzarna padega aur ye process jo maine abhi bataya,ye wahi mechanism hai....

MAHI-par WHIZZ,ye hoga kaise??i mean CEREBRATION process tab tak hi paused rehta hai jab tak us par dhyan kendrit rehta hai,but brain,body aur soul ko pause karne ke baad agar maine sirf soul par concentrate kiya jo ki mujhe karna hi hoga usse khudse jodne ke liye toh is dauran first CEREBRATION toh start ho jaayegi...


VIOLET- itna talent hai tumme MAHI but bas ek hi problem hai..tum baat puri nahi sunti...jab process maine bataya hai toh method bhi mai hi bataungi naa...


VIOLET WHIZZ ki baa sun MAHI ko apni galti ka ehsaas hua aur...


MAHI-sorry WHIZZ..it wont happen again...


MAHI ki apology sun VIOLET WHIZZ muskurayi aur....


VIOLET-toh jaisa ki maine bataya ki tumhe kul do baar apne CEREBRATION process ko pause karna hai...

aur ye tum karogi

PRATIBHAVANITA....

HOLD....

is spell ki madad se...


VIOLET WHIZZ ki baat sun...


MAHI-oh shit..ye spell toh padha hai maine...iske baare me likha gaya tha ki ye ek second level magic spell hai jo sirf COMMAND MODE ke antargat aata hai but iske power ki wajah se COMMAND MODE ke activate hone ke baawjud isse uccharit karna padhta hai....

MAHI ki baat sun ek baar firse WHIZZ muskurayi aur...


VIOLET- MAHI...zyadatar answers, solution hamare saamne ya hamare zehen me pehle se hi hote hain,bas chahiye hoti hai us solution ko dekhne ki nazar aur samajhne ka dimag....


VIOLET WHIZZ ki baat sun MAHI ne bas samajhne waale andaz me apna sir hilaya...


VIOLET- PRATIBHAVANITA spell ke asar se CEREBRATION process start hone ke baawjud bhi tumhare brain,body aur blood connected rahenge..iske baad tumhe ek baar firse apne CEREBRATION process ko pause karna hai aur fir apne andar jhaankte hue apne soul ke source ke paas pahunchna hai...

ek baar tum wahan pahunch gayi toh tumhe ek behad halki si roshni dikhegi...

bhale hi wo roshni halki hogi par uska gurutwakarshan behad strong hoga jo tumhare antarman ko apne paas khichega...

aur jaise hi tumhara antarman us roshni ko chhuye toh tumhe

PRATIBANDHANA

BIND THE POWERS...


is spell ko apne man me uccharit karna hai...tumhare aisa karte hi tumhara brain,tumhare body aur tumhare blood teeno hi tumhare soul se bind ho jayenge aur yahi se shuri hogi tumhari asli pariksha...


VIOLET WHIZZ ki baat par aakhon me sawal kiye MAHI unhe dekhne lagi jispar...


VIOLET-brain,body,blood aur soul ke bind hote hi in chaaron me ek khichaav aayega....

aur ye khinchaav maamuli nahi hoga....is kheenchav me itna pressure hoga ki tumhe aisa lagega maano tumhare andurni sharir ko koi kheench kar alag kar raha hai..

asahaniya taklif hogi tumhe...aur us helpess dasha me apne CEREBRATION process ko pause rakhte hue tumhe apna dhyan us urja par kendrit karna hoga jo tumhare andar ho rahe khinchaav se utpann hoga...

yahi concentration tumhare ATTACH MODE ke sthar ko badhayega....

jitna zyada tumhara concentration hoga,utni tumhari ATTACH MODE ki shakti badhegi jisse hum percentage me calculate karte hain...

MAHI-oh,toh aise badhti hai ATTACH MODE ki shakti...mujhe toh laga tha ki najaane kitne saare hard activities me part lena padhta hoga jisse ATTACH MODE ki powers badhti hongi...


MAHI ki baat sun ek baar fir VIOLET WHIZZ muskurayi aur....


VIOLET-sehen shakti hi shakti ko badhane ka mukhya bindu aur kaaran hota hai MAHI....

aur waise bhi kisine kaha hai,ki mujhe tumhare un 10000 moves se khatra nahi hai jisse tumne ek baar koshish ki hai, mujhe tumhare us 1 move se khatra hai jo tumne 10000 hazar baar koshish ki hai..

jo tumhe karna hai,ye wahi ek moov hai...aur jin aneko hard activities ki baat tum soch rahi thi,ye kriya unse kayi guna muskil hai...

pramaan tumhe practical karte hue mil jaayega...toh shuru karen....


WHIZZ ki baat sun MAHI apni jagah par baith gayi aur agle hi pal uski aankhen band ho chuki thi...

jaisa ki WHIZZ ne bataya tha,CEREBRATION process ko pause kar MAHI ne apne brain,body aur blood ko ek dusre se connect kiya aur aisa hote hi...


PRATIBHAVANITA....

HOLD....


is spell ko man me uccharit karte hi MAHI ne apni aakhen khol di par jaisa ki WHIZZ ne bataya tha,is spell ke prabhav se MAHI ka brain,body aur blood abhi bhi ek dusre se connected the...

aankh kholne ke agle hi pal MAHI ne dobara apni aankhen band ki aur fir turant usne apne CEREBRATION process ko firse pause kar liya....

apne antarman ke sahare MAHI khudhi ke andar jhaankte hue aage badhne lagi aur aisa karte karte achanak usse apne andar ek halki si roshni dikhi..

aur jaisa ki VIOLET ne bataya tha, bhale hi roshni madhyam thi, par uska gurutwakarshan behad shaktishali tha.....

us roshni ko dekhne bhar se MAHI ko aisa laga maano wo roshni usse apni taraf kheench rahi hai...

MAHI ne bhi khudke antaman ko dheela chhod diya tha jiski wajah se wo tezi se us roshni ki taraf badhne lagi aur jaise hi MAHI ka antarman us roshni ke ghere me aaya....


PRATIBANDHANA....

BIND THE POWER....


WHIZZ ke kahe anusar MAHI ne is spell ko uccharit kiya aur aisa hote hi....

MAHI ke brain,body aur blood me ek vibration hua aur agle hi pal wo teeno us roshni se jo ki MAHI ki soul thi,usse bind ho gaye...

MAHI ko pata tha ki aisa hone ke baad usse kaafi taklif hone waali hai aur iske liye wo man hi man ready bhi thi...

but in chaaron ke judte hi MAHI ke andruni sharir ke har koshika me ek aisa dard utha jisse MAHI puri preparation ke baawjud 2 seconds bhi nahi jhel paayi aur cheekhte hue apne pause CEREBRATION process se baahar aa gayi....

CEREBRATION process ae baahar aane ke baad bhi MAHI ke sharir me kaafi pain tha aur MAHI ko lag raha tha ki ye dard kaafi waqt tak rahega par....

kuch 2 minute ke andar hi MAHI ka pura dard gayab ho gaya jiski wajah se usne hairani wash WHIZZ ki taraf dekha..

VIOLET bhi MAHI ki hairani ki wajah jaan gayi thi isiliye....


VIOLET-jo tumhe abhi mehsoos ho raha hai,bas yahi ATTACH MODE ka plus point hai...

is kriya me bhale hi asahaniya dard hota hai,kintu wo saara dard is kriya ke khatm hone ke kuch der baad hi khatm ho jaata hai...

aur issi wajah se tum lagatar kayi baar is kriya ko dohra sakti ho...haan,par ek baat yeh bhi hai ki bhale hi dard khatm ho jaata hai kintu uska asar dimag aur pure sharir par hamesha rehta hai isiliye agle prayas se pehle ek dar zaroor man me baith jaata hai..

aur kyunki ye kriya soul ko AMPLIFY karti hai,isiliye dobara usse attach hone ke baad soul is kriya ko karne waale ko aur zyada dard deti hai....

WHIZZ ki baat sun MAHI ko behad hairani bhi hui aur saath hi usse samajh bhi aa gaya ki ATTACH MODE kyun itna zyada kathin hai...


MAHI- WHIZZ, is kriya me kitni der tak khud ko sayammit rakh apne CEREBRATION process ko pause rakhe rehne se soul AMPLIFY hona shuru ho jaata hai...

VIOLET-soul ko 1 percent AMPLIFY karne ke liye kamsekam 1 minute tak apne CEREBRATION process ko pause karna padta hai....

ab ye nayi baat jaan MAHI sirf chownki hi nahi balki uski haalat kharab bhi ho gayi...

reason....

last attempt me MAHI ka CEREBRATION 2 second bhi stable nahi re paaya tha fir aise me 1 minute wo bhi sirf 1 percent AMPLIFICATION ke kiye mount Everest one go me chhadne jitna mushkil tha but ab kara bhi kya jaa sakta tha aur isiliye ek baar firse MAHI ne apni aankhen band kar same kriya repeat ki par jaisa ki WHIZZ ne kaha tha,man ke dar ki wajah se soul aur adhik dard deta hai,aur ussike kaaran is baar MAHI ka dhyan 1 second me hi toot gaya....

dhyan tootathe hi MAHI kuch der tak lambi lambi saansen leti rahi par fir jab uski body se pain gayab hua toh wo firse turant aankhen band kar baith gayi..

issi tarah lagbhag 3 ghante tak MAHI lagatar baar baar try karti rahi but uski itni koshishon me uska best performance kuch 4 seconds ka hi raha...

jaisa ki VIOLET ne bataya tha ki jo dard is kriya me hota hai,wo kriya ke khatm hone ke kuch der baad khatm ho jaata hak,toh isiliye pain toh har baar MAHI ka jaata raha par lagatar itni baar try karne ki wajah se MAHI ka brain kaafi thak gaya tha aur isiliye...


VIOLET-aaj ke liye itna kaafi hai MAHI.... ab kal try karenge....

MAHI-ok WHIZZ...

VIOLET-but haan,sabse important baat.. jaise aaj tak tum apne classes me sikhe sabhi activities ko ghar me try karti aa rahi hogi,waisa kuch is activity ke saath mat karna...

its very dangerous...bina expert supervision ke ye kriya karna bohot khatarnaak hai aur isiliye hi tumhe alag se class di jaa rahi hai...got it....!!!

MAHI-yes WHIZZ...

VIOLET-good...see you tomorrow...


ye bol VIOLET class se nikal gayi wahin MAHI ab bhi khudko aur apne dimag ko rest dene ke liye jahan wo baithi thi,wahin baithi rahi but tabhi...


HEY MAHI..WHATS UP...???


ye ALFREEN thi jo WHIZZ ke jaate hi MABEL ke saath class me ghussi..

dono ko dekh MAHI ne kuch kaha nahi bas muskura di par uske muskaan ko dekh dono hi samajh gaye the ki MAHI kaafi thak gayi hai....


MABEL-lagta hai aaj WHIZZ ne tere pure anjar panjar dheele kar diye...

MAHI- WHIZZ ne nahi,ATTACH MODE ne...

ALFREEN-waise aaj kya sikha tune....???


ALFREEN ne bade excitement me pucha ye sawal jisse sun MAHI ne aaj class me jo bhi sikha,wo sab un dono ko bata diya jisse sun wo dono bhi hairan ho gaye...

MABEL-yaar,ye MODE toh wakayi khatarnaak hai....

ALFREEN-hmm aur challenging bhi...par isse crack toh karna hi hai....

MAHI-bilkul...ab tum dono bhi jaldi se apne apne soul ko trigger kar yahan mere saath class karo...

ALFREEN-koshish kar rahe hain yaar...i hope ki bohot jald hum bhi tujhe join karenge...

MABEL-wo jab hoga tab hoga..filhal chalen....


MABEL ki baat ke baad teeno hi class se nikal baahar ki taraf chal diye...

abhi wo teeno INSTITUTION ke beech pahunche hi the ki...


MAHI....WAIT EK SEC....


un teeno ke piche se ye awaaz aayi jo ki VIOLET WHIZZ ki thi jisse sun teeno hi palte aur dekha ki WHIZZ unhiki taraf aa rahi hai but wo akeli nahi thi balki 2 aur log the unke saath..ek ladka aur ek ladki....

dekhne me wo dono SAVENT hi lag rahe the but unknown the....


VIOLET-MAHI...inse milo..

ye hai ANWIR....

and she is MORANA....


yahi hain wo dono jo filhal PHASE 2 me hain aur tumhari hi tarah pichle saal ye dono bhi SELF BRAWL competition ke winner reh chuke hain...

ye dono is saal ke winner se milna chahte the isiliye tumse introduce karane ke liye mai inhe yahan le aayi....

apne saamne khade dono SAVENTS ko dekh MAHI khush bhi hui aur shocked bhi...usse andaza nahi tha ki uski jeet ke baare me PHASE 2 ke SAVENTS bhi jaante honge...


MAHI-mujhe nahi pata tha ki mere SELF BRAWL me jeetne ki baat PHASE 2 tak bhi pahunchi hogi...

MORANA-jo popular nahi,wo champion nahi....

champion ho,toh danke toh bajenge hi...


ye bol MORANA ne apna haath aage kiya jisse MAHI ne thaam liya...

MORANA ke baad ANWIR ne bhi MAHI se haath milaya...

MAHI ke haath milane ke baad MORANA aur ANWIR ki nazar MABEL aur ALFREEN par padi aur aisa hote dekh...


VIOLET-thats MABEL and she's ALFREEN...ye dono bhi kaafi talented hain...infact, MAHI ke baad PHASE 1 me ye dono hi sabse bright hain....


VIOLET WHIZZ ki baat sun ANWIR aur MORANA se haath milane ke liye MABEL aur ALFREEN ne apna haath aage kiya jispar...


ANWIR-champion hona aur champion ki tarah hona,in dono me bohot fark hota hai WHIZZ...

aur hume sirf apne jaise number 1 se matlab hota hai,uske baad ke numbers hamare liye zero hi hain...

chehre par guroor liye aankhon me dhikkar ki bhaawna laa MABEL aur ALFREEN ki taraf dekhte hue ANWIR ne ye baat kahi jisse sun in teeno ke chehre toh sakth ho gaye par VIOLET WHIZZ muskura di..

wo ANWIR aur MORANA, dono ke hi ATTITUDE se bohot ache se parichit thi aur isiliye,


VIOLET-you guyz talk...mujhe kuch kaam hai toh mujhe jaana hoga...


ye bol VIOLET WHIZZ wahan se muskurate hue chali gayi par jaate jaate unhone MAHI ke kaan ke paas aakar....


VIOLET dheere se- give it back to them MAHI..& make sure its hard....

MORANA- ANWIR is right MAHI...aur waise bhi,champion banana badi baat hoti hai par usse bhi badi baat hoti hai, champion bane rehna...

aur aisa karne ke liye sabse important hai sahi logon se dosti rakhna aur loosers se door rehna....


aakhri baat MORANA ne MABEL aur ALFREEN ko dekh kar kahi thi...

ANWIR aur MORANA ki baat MABEL aur ALFREEN ko bohot chubhi thi but kahin naa kahin ye baat bhi sach thi ki MAHI, MORANA aur ANWIR ke mukabale wo dono loosers hi thi isiliye un dono se hi kuch kehte nahi bana but MAHI toh keh hi sakti thi aur isiliye....


MAHI-sabko apne gyan ka ghamand hai,par apne ghamand ka gyan nahi hai...

agar champion hona mujhe tum dono ke catagory me laa khada karta hai,toh mai bhi looser hi thik hun...


muskurate hue MAHI ne apni baat kahi jisse sunana ANWIR aur MORANA,dono ko hi acha nahi laga...


ANWIR- ek baat batata hun tumhe jo tumhe next PHASE me hi pata chalni thi..

first PHASE me tum bas apne PHASEMATES ke saath jam kar sakti ho, INSTITUTION ke bas 1/4 hisse me reh aur ghum sakti ho..

ek line me kaha jaaye toh tum filhal ek ordinary life jee rahi ho...

but next PHASE me aisa nahi hai...

2ND PHASE ke SAVENTS ki life style badi interesting hoti hai...bohot kuch hota hai wahan...

aur us life ke do hisse hote hain..ek GIVING aur dusra RECEIVING...

par ye hisse default nahi balki by choice choose ki jaati hai..

tumhara abhi jo ATTITUDE hai,uske saath tum us life ke recieving end me pahunch jaaogi & trust me when i say this,you are gonna hate that part...

aur kamaal ki baat ye hai ki tum iske liye kuch kar bhi nahi paaogi..

isiliye think again...faisla wahi lo jisse faayda ho warna nuksaan toh tumhe wahan darwaze par hi mil jaayega...

MAHI-yahan se jab wapas jaao toh sabse pehle sidhe jaakar mirror ke saamne khade ho jaana..

infact is PHASE ke khatm hote tak regularly ye kaam karna...

aur jo confidence is waqt tumhari aankhon me tair raha hai naa,apne aks me us confidence ko capture kar lena..

kyunki jis din hum PHASE 2 me pahunche naa,us din,us waqt ke baad ye confidence tum aur tumhare jaiso ke sirf yaadon me rahega,aankhon me nahi.....

& that i promise......


ye saari baaton ko MAHI ne without any expression,sidhe aur sapaat tarike se bola tha jisse sun jahan ek taraf bina kuch kahe usse ghurte hue ANWIR aur MORANA palat kar nikal gaye wahin dusri taraf MABEL aur ALFREEN MAHI ko chehre par surprise liye dekh rahe the aur jab MAHI ne unhe khudko aise ghurte hue dekha toh...


MAHI-WHAT???

ALFREEN-ye aakhri baat tune khud hi kahi thi naa..???

MAHI-ye kaisi behki hui baatein kar rahi hai...tujhe kisi aur ki awaaz sunayi di kya???

MABEL-awaaz toh teri thi but tarika aur most importantly, ATTITUDE kisi aur ka lag raha tha...

MAHI-kiska..???


MABEL/ALFREEN- RAAZ......








AAJ KE LIYE ITNA HI....




AAPKA APNA V.J.....
 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI VIOLET MAHI KO PHASE 2 KE DO SAVENTS ANWIR AUR MORANA SE MILWATI JINSE MAHI KI BEHES HO JAATI HAI...

AB AAGE:-



CHAPTER-1


(UNFOLD THE RAAZ)



UPDATE-31



PLANET-ELYSIAN


PLACE-THE CHOSENS


2 MONTHS LATER:-




WELL DONE MABEL...BRILLIANT ALFREEN.....MAHI KE BAAD TUM DONO IS SAAL KE SECOND AUR THIRD SAVENT BAN CHUKE HO JISNE APNE SOUL AMPLIFICATION KO SUCCESSFULLY TRIGGER KAR LIYA HAI...

AND I AM VERY PROUD TO SAY THAT CHOSEN'S KE 25 THOUSAND YEARS KE ITIHAS ME KISI SEASON KE PEHLE 3 MONTHS ME 3 SAVENTS KA YE ACHIEVEMENT PAANA,BOHOT KAM BAAR HUA HAI....


bohot proudly OPHILIA WHIZZ ne ye baat kahi jisse sun MABEL aur ALFREEN khud bhi bohot gourvankik mehsoos kar rahe the.

subah ka waqt hai.... MAHI ki classes toh VIOLET WHIZZ leti thi aur unki SOUL AMPLIFICATION ki class unki jagah baaki teeno WHIZZ aur WHIZZDERS lete the...

aaj 2 mahine ho chuke hai MAHI ko apne SOUL AMPLIFICATION ko trigger kiye hue..

2 mahine pehle ANWIR aur MORANA dwara kahi gayi baat jaise MABEL aur ALFREEN ke dimag me chhap si gayi thi...

bhale hi us din last words unki dost MAHI ne kahe the but fir bhi MABEL aur ALFREEN ne pehli baar us din khud ko chota mehsoos kiya tha...

un dono ko us din se MORANA dwara di gayi dhamki bhi hamesha yaad rehti thi jisse usne unhe next PHASE ke liye di thi...

unhe is baat ka ehsaas tha ki agar un dono ne khudko aur sashakth nahi banaya toh iska khaamiyaza unke saath saath MAHI ko bhi uthana padega...

par har champion ki tarah in saari negetive baaton ne MABEL aur ALFREEN ko piche nahi dhakela balki unhe aage push kiya...

unke determination ko aur strong bana diya tha ANWIR aur MORANA ke taunts ne...

aur yahi wajah thi ki us din ke baad se dono pehle se aur zyada focused hokar classes attend karti thi...

in do mahino me un dono ne hi apni puri jaan laga di thi apne apne SOUL ko trigger karne me par ye itna asaan bhi nahi tha but aaj do mahino ke kade aur lagatar prayas ke baad MAHI aur ALFREEN dono hi finally apne maksad me kaamiyab hue aur wo bhi same din me...

OPHILIA WHIZZ ki baat sun in do mahino ki puri mehnet un dono ke aakhon ke saamne ghumne lagi jisse yaad aur mehsoos kar dono hi muskura rahi thi....


NOX-MABEL, ALFREEN....kal se aap dono ki class bhi MAHI ke saath lagegi....hum ummid karte hain ki aap teeno hi bohot jald apne soul ke AMPLIFICATION percentage ko bhi start kar denge...

and SAVENTS,apne confidence level aur focus ko banaye rakhiye...

hume maalum hai ki 3 months se lagatar koshish karne ke baad bhi abhi tak aap sabko thodi bhi kaamiyabi nahi mili hai...

par ye stage har SAVENT ki life me aaya hai...jis dour se aap sab guzar rahe hain,ussi daur se kabhi hum bhi guzre the aur isiliye apne experience se hum bas aap sabko ye yakin dilate hain ki rukawaton ka ye daur bas temporary hai,permanent nahi...

agar aap sab determined rahe toh bohot jald MAHI,ALFREEN aur MABEL ki hi tarah aap sab bhi apne apne SOUL ko trigger karne me kaamiyab ho jaayenge....

OMMIN- aur taaki aap sab apne determination ko strong banaye rakhe aur apne soul ko trigger kar paayen, isiliye ek naya motivation hum aapko dete hain...

aur is motivation ka naam hai SWEEP-STAKE.....

kisi ko matlab pata hai is word ka???

SAVENT-an earnest effort for superiority or victory over other...

OMMIN- absolutely right....ab aap sab soch rahe honge ki is word ka yaa iske maayne ka aapke determination se kya lena dena...

lene dena hai...aur wo ye ki...

aap sabko CHOSENS me aaye 3 mahine guzar chuke hain....aur thik aaj hi ki tarah aaj se 3 mahine baad
jab is saal ke first 6 months guzar jaayenge toh har saal ki tarah is saal bhi CHOSEN'S me SWEEP-STAKE naam ke ek competition ka aayojan hoga....

ye competition pichle 25 thousand years se lagatar har saal CHOSENS me organize hota chala aaya hai jahan is INSTITUTION ke PHASE 3 ke SAVENTS participate karte hain.....

aur PHASE 1 aur PHASE 2 ke SAVENTS is competition ke audience hote hain...pure saal me bas ek baar hi aisa mouka aata hai jab PHASE 1 aur PHASE 2 ke SAVENTS apne last PHASE ke SAVENTS aur unke hunar ko live dekh paate hain...

par....is competition ko aap kaise dekhenge,ye aur koi nahi balki aap sab ya fir ye kahun ki aap sabki positions decide karte hain...

kehne ka matlab hai ki agar in 3 mahino me aapne apne SOUL ko trigger kar liya toh aap sab ko ek achi aur respected jagah provide ki jaati hai,jahan se aap sab us competition ka lutf utha paayenge...

wahin aapmese jitne bhi SAVENT apne soul ko trigger karne ke baad usse 1 percent bhi amplify karne me successful honge,unhe PHASE 2 ke STELLARS group ke saath baith kar is competition ko dekhne ka mouka milega....

par jitne bhi SAVENTS agle teen mahine me apne SOUL ko trigger karne tak me kaamiyab nahi hue,unhe sabse alag aur door khade hokar ek outsider ki tarah is competition ko dekhna padega...

understood.....


OMMIN WHIZZDER ki baat sun sach me sabhi SAVENTS ka moral high ho chuka tha..sabhi andar hi andar ye determine kar chuke the ki aane waale teen mahino me kisi bhi tarah khud ke SOUL ko wo trigger karke hi rahenge wahin in sabke beech ALFREEN aur MABEL jinhone already apne apne soul ko trigger kar liya tha,unhone man hi man thaan liya tha ki wo dono ki bhi tarah apne SOUL ko kamsekam 1 percent tak toh trigger karke hi rahenge...

kyunki yahi ek tarika tha second PHASE ke un do SAVENTS ANWIR aur MORANA ko apne talent ki jhalak dikhane ka....


NOX-aaj ki class yahin khatm karte hain SAVENTS...


ye bol teeno WHIZZ aur WHIZZDERS class se nikal gaye...

wahin unke jaate hi MABEL aur ALFREEN bhi turant MAHI ki class ki taraf nikal padi...



SOUL AMPLIFICATION CLASS:-



PRATIBHAVANITA

HOLD



apne CEREBRATION process ko pause kar MAHI ne is spell ko uccharit kiya aur fir apne cerebration process ko wapas shuru kar apni aakhen khol di par bole gaye spell ki wajah se MAHI ka Brain, body aur blood ek dusre ke saath connected hi raha....

aankh khulte hi MAHI ki nazar apne saamne khadi VIOLET WHIZZ par gayi jo usse hi dekh rahi thi...

WHIZZ ko dekh MAHI ko 2 mahine pehle shuru hue apne is naye class ka wo pehla din yaad aa gaya jab usne pehli baar apne SOUL ko amplify karne ke liye ye sab karna shuru kiya tha....

us din VIOLET WHIZZ ke chehre par ek alag hi excitement tha but aaj MAHI ko wo excitement WHIZZ ke chehre par bilkul bhi nahi dikha aur dikhta bhi kaise...???

2 mahine se lagatar koshish karne ke baawjud bhi MAHI apne SOUL ko 1 percent tak bhi AMPLIFY nahi kar paayi thi...

jaisa ki WHIZZ ne bataya tha,soul ko 1 percent tak AMPLIFY karne ke liye second spell bolne ke baad kamsekam 1 minute tak apne CEREBRATION process ko pause rakhna padta tha but abhi tak MAHI ki patience limit 40 seconds tak hi touch kar paayi thi.....

aisa nahi tha ki MAHI slow ho gayi thi..infact MAHI ab bhi baakiyon se bohot aage thi.. VIOLET WHIZZ ko khud bhi lagbhag 7 mahine lage the apne soul ko ek percent amplify karne me..

infact MARILIZA WHIZZ jo ki filhal CHOSEN'S ki incharge thi,unhe bhi 100 dino se upar lage the aisa karne me but MAHI ke ab tak ke record aur performance ko dekhkar VIOLET WHIZZ ko usse kuch zyada hi ummid thi...

ye saare thoughts MAHI ke brain me kuch seconds me hi ghum se gaye the par fir ek lambi saans le aur chhod MAHI ne apni aakhen phir se band kar li aur...



PRATIBANDHANA

BIND THE POWERS



khudke antarman ke us urja roopi soul ke pahunchne par ussi soul ko apne brain,body aur blood se jodne ke liye MAHI ne is spell ko uccharit kiya jiske baad un chaaron ka aapas me judaaw ho gaya....

aur aisa hote hi.....

ek tez dard ki leher MAHI ke pure sharir me doud gayi jiski wajah se paused CEREBRATION me hone ke baawjud MAHI ke jabde ek dusre se jud gaye...

behad taklif ho rahi thi usse par fir bhi ab tak MAHI ne jaise taise apne CEREBRATION ko pause hi rakha tha...

but dard itna zyada tha ki usse pata tha ki bas kuch hi seconds aur wo us dard ko jhel paayegi...

par itni negetive situation me bhi MAHI ka brain,uski body aur uska blood uski dhamniyon me soul ke saath khichaav karte hue bhi jaise usse prerit kar rahe the....

dard ko zabt karte hue MAHI apne andar ek dusre se Jude apne shakti ke chaaron shrothon ko dekh rahi thi aur saath hi soch rahi thi koi yukti is dard ko zyada der tak jhelne ki......

aur yunhi sochte sochte achanak uske dimag me wo drishya ghum gaya jab wo yahan CHOSENS aane waali thi....

wo drishya jisme usne pehli baar usse dekha tha jisne bachpan se lekar MAHI ke CHOSENS me aane se pehle tak usse gyan dene ka zariya niyukt kiya tha...

aur jaise hi MAHI ke dimag me MAHI ke us madadgaar ki jhalak dikhi,jaise ek chamatkar hua...

MAHI ka dard badhte badhte achanak utne me hi rook gaya....

dard kam ya gayab nahi hua tha,bas jitna tha,utne me hi rook gaya tha...

aur ye wahi waqt tha jab MAHI ne apna purana record 40 seconds ka tod diya tha aur ab seconds ki ghadi us magical minute ki taraf badh chuki thi...

wahin jab VIOLET WHIZZ ne bhi dekha ki 40 seconds cross karne ke baad bhi MAHI ka CEREBRATION process ab tak paused hi hai,toh wo hairan bhi hui aur khush bhi..

unhe phirse lagne laga ki ek baar firse MAHI ek naya record banayegi....

aankhon me utsukta liye wo MAHI ki taraf dekhti rahi aur saath hi seconds ko count karti rahi...

aur in baaton se anjaan MAHI apne madadgaar ke aks ko dekh rahi thi but ye chavi bhi uske dimag me bas kuch hi palon ke liye hi thi...

kuch seconds ke baad MAHI ke dimag me vibrations se hone lage jiske baad wo chavi gaayab ho gayi aur aisa hote hi MAHI ka thehra dard ek baar firse tez hone laga....

apne jabdo ko zor se dabate hue MAHI us dard ko zabt karne ki koshish karne lagi par jab uske liye wo dard asahaniyata ki lakir ko bhi paar gaya,toh usne aankhen kholne ki sochi par tabhi....


SNNNNNNNNN........


MAHI ke sharir se ek behad tez aur shaktishali urja nikal har taraf fail gayi....

jis class me is waqt MAHI thi,usse VIOLET WHIZZ ne ek shield se bandha hua tha,aur jaise hi wo urja us shield se takrayi,wo shield kisi khinche hue rubber ki tarah expand sa ho gaya...

wahin class ke baahar MAHI ka wait kar rahi MABEL aur ALFREEN ne bhi sheild ki expandation se nikalti urja ko mehsoos kiya tha..

unhone turant class ke andar jhaankne ki koshish ki par shield ki wajah se class ka door bhi opaque tha jiski wajah se andar ka kuch bhi dikh nahi raha tha...

khair,jaise hi MAHI ke andar se wo urja release hui,uske agle hi pal MAHI ne apni aakhen khol di...

apne chaaron taraf prakash aur apne andar ek ajeeb si taakat mehsoos kar MAHI ko shock laga...

wahin kuch seconds baad jab roshni kam hui aur class visible hua toh MAHI ne saamne VIOLET WHIZZ ko muskurate hue dekha...

wo unse kuch puchti,usse pehle hi....


VIOLET-congrats MAHI...tumhara soul 1 percent amplify ho chuka hai....


VIOLET WHIZZ ki baat sun MAHI ki khushi ka thikana nahi raha..wo kuch bol toh nahi rahi thi par uske chehre ka glow uske man ki haalat bayan kar rahe the...


VIOLET-aise hi confidence aur focus ke saath aage badhte raho MAHI...ek din tum apne imagination se bhi aage nikal jaaogi...

MAHI-thank you WHIZZ..ye sab aapke guidence ki wajah se hi possible ho paaya hai....


MAHI ki baat sun VIOLET WHIZZ MAHI ko uske rare talent ke baare me bohot kuch batana chahti thi but wo jaanti thi ki MAHI ka grounded rehna bhi zaroori hai aur isiliye...


VIOLET-aaj ki class khatm hui.... I'll see you tomorrow MAHI...


ye bol VIOLET WHIZZ class se nikal gayi...

unke class se nikalte hi unka bichaya shield bhi gayab ho gaya jiske turant baad MABEL aur ALFREEN class ke andar ghus gaye....


MABEL-yaar,ye abhi thodi der pehle kya hua tha..??? humne ek bohot hi strong force feel ki thi...

ALFREEN-haa yaar..aisa laga maano yahan class me kuch dhamaka sa hua ho...

MAHI-dhamaka jaisa kuch nahi tha,wo actually maine apne SOUL ka pehla percent AMPLIFY kar liya hai aur wo force ussi ki wajah se paida hua tha....

ALFREEN-what!!!! itni badi baat aur tu itni casually bata rahi hai....

apni baat keh ALFREEN MAHI ke gale lag gayi wahin uske baad MABEL ne bhi same kiya...

ALFREEN-kya yaar,yahan toh kuch hai hi nahi..agar hum hamare earth me hote toh is mauke par itni badi party karte ki sab dekhte reh jaate....

MAHI-oh hello ms day dreamer..agar hum earth me hote toh yahan jo chizen hoti hain,waisa kuch hota bhi hoga,aisa soch tak nahi paate...

ALFREEN-haan yaar,wo bhi hai....

MAHI-waise aaj tum dono se bhi mujhe ek alag energy feel ho rahi hai...

MABEL-wo toh hogi hi,hum dono ne bhi aaj apne apne soul ko trigger jo kar liya hai....

MAHI-what!!! seriously....!!!!

ALFREEN-ofcourse yaar...aur ab hum dono bhi kal se tere saath class karengi...


ALFREEN aur MABEL ki baat se MAHI itni zyada khush hui ki usse kuch bola hi nahi gaya..

usne bas dono ko hi kas kar gale laga liya....


MAHI-yaar,ye toh wakayi double,double nahi tripple khushi ka mouka hai...

ALFREEN-ofcourse..aur ab kal se hum teeno firse saath honge...

MABEL-hell ye.....

MAHI-haan par wo kal se hoga guyzz.but filhal hume ghar chalna chahiye hum already late hain...

MABEL-haan yaar.... let's go...

yunhi baat karte karte teeno apne ABODES ki taraf nikal gayi...raaste me ALFREEN aur MABEL ne MAHI ko 3 mahine baad hone wali competition aur usse judi saari baatein jo unhe aaj pata chali thi,wo batayi jisse sun MAHI bhi kaafi excited ho gayi...

teeno hi aaj kaafi khush the par un teeno me se koi EK ye nahi jaanta tha ki aaj raat usse ek ajeeb sa par ekdum zor ka jhatka lagne waala hai....


MIDNIGHT..........



YE MAI KAHAN AA GAYI...????AUR YE ITNA ANDHERA KAISA....???KHUDKE HAATH TAK NAHI DIKH RAHE......


apni baat keh wo ladki jo filhal kisi sakht si jagah par baithi hui thi,khadi ho gayi...

dikh toh kuch raha tha nahi aur isiliye andhon ki tarah haathon ko aage kar wo ek disha me dheere dheere aage badh gayi....

jo ho raha hai,wo kya hai aur most importantly kyun hai,usse kuch bhi samajh me nahi aa raha tha...

kaafi der tak yunhi andhon ki taraf haathon se aage ki taraf tatolti hui si wo aage badhi par us anjaan andhere raaste ka usse koi anth dikh hi nahi raha tha....

trasth si hokar woh wahin khadi ho gayi par aakhir kab tak...

kuch der baad wo wapas aage ki taraf badhne lagi..wo lagatar aage badh rahi thi...

andhera toh ab bhi chaaron taraf tha but ab usse dar ya ghabrahat mehsoos nahi ho rahi thi aur isiliye uski chaal tez ho gayi thi..

wo yunhi
aage badh hi rahi thi ki tabhi.....

usse khudse thodi door aage ki taraf ek jagah se niche aur upar ki taraf halki halki roshni dikhi jisse dekh usse ek ummid bandhi aur wo tezi se us roshni ko rays ki taraf badhi aur yunhi aage badhte hue jab wo us roshni waali jagah ke paas pahunchi toh wo chownki...

reason...


wo upri aur nichli roshni darasal ek bade se door ke upar aur niche ke hisse se aa rahi thi....

us ladki ko kuch samajh toh nahi aa raha tha but aage badh us door ko khatkhatne ke alawa uske paas aur koi option bhi nahi tha aur isiliye usne aage badh us door ko knock kiya par lagatar kayi baar knock karne ke baad bhi jab dusri taraf se koi response nahi aaya toh us ladki ne door ke right side par bane knob ko pakda aur jaise hi us ladki he us knob ko ghumaya,toh door khulta chala gaya....

jaise hi door pura khula,us ladki ko apna haath apne aakhon ke aage rakhna pada kyunki wo pura room bohot tez roshni se nahaya sa hua tha....

roshni itni tez thi ki usse kuch dikh hi nahi raha tha but fir bhi usne dheere se apna ek pair room ke andar badhaya aur tabhi.....


WELCOME ALFREEN....MAI TUMHARA HI INTAZAR KAR RAHA THA....


ek bhaari bharkam awaaz us ladki urf hamari ALFREEN ke kaano me gunji jisse sun wo hadbada si gayi..

abhi wo kuch kehti ki tabhi us room ki roshni madhyam padne lagi aur kuch hi der me wahan ka drishya clear hua jsse dekh ALFREEN fir chownki....

reason...

is waqt uske saamne koi shaksh khada tha par filhal uski peeth ALFREEN ke saamne thi...

saath hi us shaksh ke haath me ek talwar thi jo tez chamak rahi thi...

wahin us shaksh ke saamne do log neeche zamin par baithe hue the par hairani ki baat ye thi ki in dono ka chehra dikh nahi raha tha....

un dono ke chehron ke aage ek dhundh si chayi hui thi....

ALFREEN ye sab dekh hi rahi thi ki tabhi wo shaksh palta aur aisa hote hi ALFREEN ek baar firse shocked ho gayi kyunki us shaksh ka chehra uske saamne hokar bhi nahi tha..

kehne ka matlab hai ki neeche baithe un do logon ki hi tarah us shaksh ke chehre ke aage bhi dhundh thi....


ALFREEN-ye sab kya hai...???ye kaun si jagah hai..???mai yahan tak kaise pahunchi aur tum logon ke chehre kyun nahi dikh rahe...

SHAKSH-jis din maine tumhe dard diya,toh wo dard tumhe apne sharir ke pare bhi mehsoos hoga aur us dard ki koi samay seema bhi nahi hogi....

ALFREEN-RAAZ.......!!!!!


ek tez jhatka laga ALFREEN ko par RAAZ ka naam lene ke baad kuch aur hua jisse dekh uske jhatke ka asar aur badh gaya....

toh hua ye ki ALFREEN ke RAAZ ke naam lete hi RAAZ ke saamne jo do log neeche baithe hue the,unke chehron ke upar se dhundh hath gayi aur aisa hote hi un dono ke chehre dikhne lage jisse dekh...


ALFREEN-MOM......POPS.......


FLORIN aur MARIA jo ki RAAZ ke saamne neeche zamin par baithe hue the,unke chehre aur haath par kaafi cuts the aur jiski wajah se un jagahon se khun rees raha tha...

ye drishya dekh unki beti ka kaleja phat sa gaya...wo tezi se aage badhne ko hui par ye kya...????

uske pair jahan the, wahin jam se gaye the....usne bohot koshish ki,par ek inch bhi aage nahi badh paayi...

apne mom dad ki haalat aur apni bebasi dekh ALFREEN ki aankhen jhalak padi....


RAAZ-aansu bacha kar rakho ALFREEN...kahin aisa naa ho ki jab inke nikalne ka asli waqt aaye,tab ye bache hi naa hon...


ye baat bolte bolte RAAZ chalte hue ALFREEN ke paas pahuncha aur fir usse kuch kaha....

apni baat bol RAAZ wapas ghuma aur aage badhta hua FLORIN aur MARIA ke paas pahuncha...

uske haath ne khudki grip sword par mazboot ki aur.....


KHACHHH.....KHACHHHH......


bas ek flow me ek hi baar chali RAAZ ki sword aur agle hi pal FLORIN aur MARIA,dono ke sir dhad se alag ho chuke the....


ALFREEN-NAHI........................


ek tez cheekh ke saath ALFREEN apne neend se jaagi aur apne bed par uth kar baith gayi..is waqt uski saansen behad tez chal rahi thi...

aankhen jaise pathra si gayi thi...same position me kuch der baithe rehne ke baad wo turant bed se utri aur tezi se apne room ke baahar nikal apne mom dad ke room ki taraf doud padi....

kuch hi der me ALFREEN apne mom dad ke room ke saamne thi..darwaza khula hi tha aur is waqt FLORIN aur MARIA dono hi chain se so rahe the...

dheere dheere chalte hue ALFREEN apne mom dad ke paas pahunchi aur fir dheere se un dono ko hi halka sa chhu kar dekha maano confirm kar rahi ho ki wo dono sach me uske saamne hain...

apne mom dad ko touch karne ke baad ALFREEN kuch der tak wahin khadi un dono ko dekhti rahi aur fir palatkar wapas apne room ki taraf chal padi...

ye jaankar ki jo usne dekha,wo mahaz ek sapna tha,ye dekhkar ki uske mom dad ko kuch nahi hua hai aur wo chain se soye hue hain, ALFREEN ko chain ki saans leni thi par aisa hua nahi tha..

wo ab bhi pehle jitni hi tensed dikh rahi thi aur iska kaaran tha RAAZ ke kahe gaye wo aakhri shabd jo usne sapne me FLORIN aur MARIA ko maarne se pehle kahe the...

wo shabd maano gunj se rahe the ALFREEN ke dimag me...

ek baar,do baar,teen baar,baar baar wo shabd rook rook kar ALFREEN ko sunayi de rahe the...

tang aakar ALFREEN ne apne dono kaano ko apne haathon dwara zor se dhak liya...

par kuch der baad jab usne apne haath hataye toh ek baar firse wo shabd uske kaano me gunj uthe....

RAAZ- bramhaand ka har sach,har tathya JHUTA ho sakta hai,

par RAAZ agar kisi sapne me bhi ho,toh wo SAPNA zaroor SACH hoga....







AAJ KE LIYE ITNA HI....





AAPKA APNA V.J.....
 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF MAHI APNE SOUL KO EK PERCENT AMPLIFY KARNE ME KAAMIYAB HO JAATI HAI, AUR ALFREEN,MABEL APNE SOUL AMPLIFICATION KO TRIGGER KAR LETE HAIN WAHIN DUSRI TARAF ALFREEN KO EK BHAYANAK SAPNA AATA HAI JISME WO DEKHTI HAI KI RAAZ USKE MAATA PITAH KO MAAR DETA HAI


AB AAGE:-



CHAPTER-1


(UNFOLD THE RAAZ)



UPDATE-32




PLANET-ELYSIAN


PLACE CHOSEN'S





1 WEEK LATER:-



ALFREEN,MABEL....U BOTH CAN DO IT....BAS HIMMAT MAT HAARO AUR APNE FOCUS AUR DETERMINATION KO AUR ZYADA STRONG BANAO.....

I KNOW KI YE PROCESS PAINFUL HAI BUT AS THEY SAY,NO PAIN,NO GAIN....

FOR THAT 1 PERCENT,U HAVE TO GIVE YOUR 200 PERCENT....SO COMMON ON,LETS TRY AGAIN.....


MABEL aur ALFREEN ka josh badhati hui boli VIOLET..

infact jab se in dono ne MAHI ke saath alag class join kar apne soul ko AMPLIFY karne ki shuruat ki hai,ussi waqt se VIOLET WHIZZ lagatar in dono ki housla afzayi karte hue aa rahi hai....

waqt se yaad aaya...subah ka waqt hai...apne apne soul ko trigger karne ke ek hafte baad bhi AMPLIFICATION process ko MABEL aur MAHI dono hi 10 second bhi cross nahi kar paa rahe the...

VIOLET WHIZZ ko pata tha ki ALFREEN aur MABEL dono hi kaafi talented hain,par wo MAHI ki tarah exceptional case nahi hain aur isiliye wo bhi in dono ke liye extra efforts laga rahi thi...

lagatar dono ko moral boost dete hue protsahit karti aa rahi thi VIOLET WHIZZ.....

MABEL toh lagatar apne pure concentration ke saath koshish kar rahi thi par ALFREEN ka focus do hisso me bata hua tha....

ek hafte pehle jo sapna usne dekha tha,wo sapna,wo drishya uske dimag se hatne ka naam hi nahi le raha tha...

apne mom dad ke saamne toh wo normal rehti aur dikhti thi,par baaki har jagah aur khaas kar institution me uske chehre par bechaini,ghussa dard ye saare bhaav aate jaate rehte the....

sapna dekhne ke agle hi din usne uske baare me MAHI ko bataya tha..

ALFREEN ki baat sun ek pal ke liye toh MAHI bhi tention me aa gayi thi par fir usne khudko shaantkar ALFREEN se isse mehez ek sapna kehkar bhulne ki salah di....

par is baat ka ALFREEN par kuch khasas asar hua nahi aur yahi wajah thi ki is PHASE ke sabse important class me jahan uska concentration level hadh se zyada strong hona chahiye,uske ulat wahi concentration aadha reh gaya tha....


VIOLET-MABEL,ALFREEN...common.... start again....


VIOLET WHIZZ ki awaaz ek baar fir un dono ke kaano me gunji jisse sun MABEL ne apni aakhen band kar li wahin kuch seconds me khudke saare emotions ko dabane ke baad ALFREEN ne bhi apni aankhen band kar li....

aur in dono se alag hamari MAHI jiski aaankhen pehle se hi band thi,wo apne SOUL ko 2 percent AMPLIFY karne ki koshish me lagi hui thi..

par uski raah MABEL aur ALFREEN se kayi guna zyada mushkil thi...

reason....

SOUL AMPLIFICATION adding order me nahi balki multiplication order me trigger hone waala MODE tha....

kehne ka matlab hai ki 2 percent SOUL AMPLIFICATION ka holder 1 percent holder se 2 guna nahi balki 10 guna strong hota hai...

aur isiliye hi VIOLET WHIZZ ne kaha tha ki 30 percent SOUL AMPLIFICATION ko use me laane waala shaksh pure CHOSENS ke har SOUL AMPLIFICATION ke holder se bhi zyada strong hai...

aur jab power itna fluctuate hota hai,toh usse use me laana bhi utna hi mushkil hota hai...

soul ke pehle percent ko use me laane ke liye jahan MAHI ko 1 minute tak apne CEREBRATION process ko pause rakhna pada tha,wahin ab 2 percent tak pahunchne ke liye usse 10 minute tak apne CEREBRATION process ko
hold me rakhna tha jo bohot zyada mushkil tha...

but ek advantage MAHI ko zaroor mila tha aur wo ye ki uske soul ke 1st percent amplification ke baad uski inner aur outer body,aur saath hi uska brain aur blood bhi pehle se 10 times zyada strong ho gaye the jiski wajah se uski sehen shakti bhi kaafi badh gayi thi...

yahi wajah thi ki wo 2 minute tak apne CEREBRATION process ko pause rakh paa rahi thi...waqt ka daayra toh badh gaya tha par jo uska target tha,uske liye filhal dilli door thi....


REST OF THE CLASS:-


FOCUS GUYZZZ.FOCUS.....aap sabhi capable hain,apne SOUL ko trigger karne ke liye....

bhale kitni hi baar aap fail kyun naa hon,bas apne himmat, confidence aur focus ko fail hone mat dijiyega....


OPHILIA WHIZZ ne sabhi SAVENTS ke housla badhate hue apni baat kahi jiske baad wo sabhi ek baar firse aakhen band kar apne apne SOUL ko trigger karne me lag gaye....



BACK TO MAHI, ALFREEN &MABEL



AAHHH.....AHHHHH....


10 seconds hote hote MABEL aur ALFREEN dono ki hi cheekh nikli aur ussi chikh ke saath unka CEREBRATION process bhi start ho gaya....

wahin 2 minutes aur kuch seconds ke baad MAHI bhi apne process se baahar aa chuki thi....

teeno hi apne performance se khush nahi the but filhal wo kuch kar nahi sakte the kyunki...


VIOLET-koi baat nahi SAVENTS...ye ek time taking task hai...kal fir try karenge....aaj ki class khatm...


ye bol WHIZZ class se baahar nikal gayi aur unke piche piche ye teeno bhi aaj ke unke performance ko discuss karte hue apne ABODES ki taraf nikal pade...



1 MONTH LATER:-



well done MAHI....is baar tumne pure 5 minute tak apne CEREBRATION process ko pause rakha tha...thats really impressive.....


khush hote hue VIOLET WHIZZ ne ye baat kahi jisse sun MABEL aur ALFREEN bhi apni friend ke achievements ke liye khush hue....


MAHI-but WHIZZ..thats not the deal...mai abhi bhi apne next target se pure paanch minute piche hun...

udaas si hote hue MAHI ne kaha jisse sun VIOLET WHIZZ muskura uthi aur...


VIOLET-roof tak ek jhatke me nahi pahuncha jaa sakta mahi...

lage hue stairs par apne apne ek ek kadam jama upar uthna padta hai aur abhi tum wahi kar rahi ho..

bas jab tak us chhat tak pahunch naa jaao,lagatar chadhti jaao aur agar aisa kiya toh manzil milni hi hai...

so theres nothing to be sad of.....


haan me apna sir hilate hue MAHI wapas paalthi maar kar baith gayi....

wahin uske aisa karne ke baad MABEL aur ALFREEN bhi same position me baith shuru ho gaye apne task ko pura karne ki koshish me jisme abtak wo zara bhi kaamiyab nahi ho paaye the....

aur apni is nayi koshish me bhi dono ka performance down hi raha jiske baad un dono ko hi thoda sa motivate kar VIOLET WHIZZ ne class off kar di....



REST OF THE CLASS:-


well done VALDIS.....we are really proud of you.... now you officially become only the fourth SAVENT among NEW BORNS of this year,jisne successfully apne SOUL ko trigger kiya hai...

aur isiliye kalse aapki class bhi aapse pehle jin teen SAVENTS ne apne SOUL ko trigger kar liya hai,unke saath lagegi....

aaj ki class khatm hoti hai.....



2 MONTHS LATER:-



MAHI- kya naam tha unka...???haan, MORANA, ANWIR.....


INSTITUTION ki taraf nikalte waqt MAHI ne un dono SAVENTS ka naam dohraaya jisse uski 2 mahine pehle behes hui thi aur jisse sun ALFREEN jo apne hi khayalon me khoyi thi,usse bhi jhatka laga aur....


ALFREEN-ye tu achanak un dono loosers ka naam kyun le rahi hai...???

MAHI-wakayi???kya wakayi wo loosers hain yaa fir ye tag jaisa unhe lagta hai,tujh par hi suit karta hai....


MAHI ki baat sun ALFREEN ko shock bhi laga aur bura bhi...

uska khubsoorat sa chehra achanak utar sa gaya jisse dekh...


MAHI-yahan akele me maine tujhe ye baat boli toh tujhe bura laga...

par ek mahine baad jab wo dono sabke saamne tera mazak udayenge,tab kya karegi...???

yunhi sir jhukakar khadi rahegi...kyunki us waqt iske alawa tere paas aur koi option hoga nahi....

baatein,tark,behes bhi tabhi achi lahti hain jab humare actions un tarkon ko backup den...

par pichle 2 mahino me jaisa tera ATTITUDE raha hai naa,usse naa tu kahin pahunchne waali hai aur naahi khud ko proove karke dikhane waali hai...

i know ALFREEN ki us sapne ne tujhe andar tak jhanjhor diya hai but tu mujhe bata ki kya koi bhi sapna hum jis reality me reh rahe hain,usse zyada important ho sakta hai kya???

chal ek pal ke liye maan bhi len ki tujhe aaye sapne me 1 percent tak ki bhi sacchayi hai,toh usse tackle karne ka kya plan hai tera..???

yunhi apni sochon me gum apne focus ko unfocus kar tu bas apna present and most importantly apna future kharab kar rahi hai...

apne dar ko apni kamzori nahi,apni taakat ka zariya bana..proove your worth ALFREEN...

taaki future me bhale hi kitni bhi negetive situation kyun naa khadi ho,tu ready reh paaye unhe handle karne ke liye...

MAHI ki baaton ne ek aag si jala di thi ALFREEN ke andar.wo jhat se aage badhi aur MAHI ke gale lag gayi...


ALFREEN-i promise you MAHI...i will proove my worth....kya hoga,kya ho sakta hai,bohot hua ye sab sochna,ab chaahe jo ho future me,i will make myself ready for every battle.....


ALFREEN ki baaton me aur uski aankhon me is waqt uska purana confidence dikhne laga tha jisse dekh MAHI khush ho gayi...

ek dusre ka haath thaam ek naye josh ke saath dono friends INSTITUTION ki taraf chal pade....



SOUL AMPLIFICATION CLASS:-



PRATIBANDHANA

BIND THE POWERS



brain body aur blood ko SOUL ke saath jodne ke liye ye spell bola gaya jiske 1 second baad hi....

AAAHHHH......

ek tez chikh ke saath VALDIS ki aankhen khul gayi thi jisse dekh...


VIOLET-is pain ki aadat daal lo VALDIS....jitni jaldi isse dosti kar loge,tumhare isse sehne ki shamata bhi utni jaldi badh jaayegi...


muskurate hue VIOLET WHIZZ ne ye baat kahi par apni baat kehne ke baad unhe thoda shock laga par saath hi wo khush bhi hui...

reason.....

MABEL aur ALFREEN,jinhone ab tak apne SOUL AMPLIFICATION ke process ke 15 seconds ko bhi cross nahi kiya tha,wo dono aaj 25 seconds guzarne ke baad bhi aone CEREBRATION process ko hault pe rakhe hue the...

wo is baare me soch hi rahi thi ki....


AHHHH....

AHHHHH.....


kuch seconds ke antaral me ek ek cheekh ke saath MABEL aur ALFREEN ki aankhen khul gayi jisse dekh...


VIOLET-ab ye hua naa focus aur determination ka asli combo... MABEL,aaj tumne 28 seconds tak apne CEREBRATION process ko paused rakha and ALFREEN,tumne toh aadhi jung hi jeet li....

pure 30 seconds...bas itne hi aur add karwa do apne process me aur tumhara soul amplification shuru ho jaayega....


WHIZZ ki baat sun wo dono hi khush ho gayi aur saath hi dono ne man hi man aur mehnet karne ki thaan bhi li thi..

wahin in sabke beech MAHI ki performance me 1 second ka hi sahi par fark har din aa raha tha jisse dekh VIOLET WHIZZ bohot hi zyada khush thi.....



REST OF THE CLASS:-



NOX-SAVENTS...aaj ke liye itna kaafi hai but class khatm karne ae pehle hum aap sabse bas yahi kahenge ki....

it's high time u pull up your socks... sirf ek month bacha hai SWEEP-STAKE competition me...

aur wahan aap kis tarah jaate hain,ye aapke is ek mahine ke performance par depend karta hai....

aap sab ke planets me unity ke baare me sikhaya jaata hai but yahan CHOSENS me sabse bada lesson hi POWER hai...

jo khudko jitna zyada powerful banayega,uski jagah,uski izzat baakiyon ke mukable utni hi zyada hogi...

and most importantly...next PHASE me aapki life kaisi hogi,wo aapke is bache ek month ke performance se aap sabko pata chal jaayega...

jisne bhi apne soul ke percentage ko AMPLIFY karna shuru kar diya,wo wahan us competition me ek STELLAR ki tarah jaayega,wahin jisne bhi apne soul ko trigger kar liya,wo wahan ek MEDIAN ki tarah treat kiya jaayega but jo ye dono hi chizen nahi kar paayega,usse us competition ko dekhte waqt ek WEAKLING ki tarah treat kiya jaayega...

so as i said,pull up your socks....


WHIZZDER ki baat sun sabhi SAVENTS me confidence bhi jagne laga aur saath hi future ke baare me soch kar sabhi thode nervous bhi dikhne lage....

class khatm ho chuki thi.apni baat keh teeno WHIZZ aur WHIZZDERS class se nikal gaye....



ONE DAY BEFORE SWEEP-STAKE



PRATIBANDHANA

BIND THE POWERS



EK SAATH 29 SAVENTS ne is spell ko uccharit kiya tha....

jee haan doston, PHASE 1 me total 32 SAVENTS hain jinme se 29 SAVENTS ne apne apne SOUL ko trigger kar liya hai....

sirf trigger.. amplify ab tak sirf MAHI hi kar paayi hai....

SPELL bolte hi jo hota hai,wo hua....brain,body,blood aur soul ke bind hote hi sabhi SAVENTS ke sharir ke har ang me ek khichaav aaya jiski wajah se unhe aisa laga maano unhe koi andar se beech me se kheenchte hue faadne ki koshish kar raha ho....

aur ye wajah kaafi thi 26 SAVENTS ke aankh kholne ke liye jo unhone khol di...

aur bache 3 SAVENTS, MAHI, ALFREEN aur MABEL jinhone ab tak dard ko sehen karte hue apne CEREBRATION process ko pause hi rakha tha....

ab tak MABEL aur ALFREEN 50 seconds tak apne CEREBRATION process ko pause rakh paaye the...

sirf dus seconds door the wo dono us magical 1 minute se...

aur aaj toh jaise dono thaan ke hi aaye the ki bhale chaahe jo ho jaaye,wo apne soul ko 1 percent tak AMPLIFY kar ke hi rahenge aur khud se kiye us waade ko nibhate hue wo apne task ko pura karne me lage rahe....

jahan is waqt ALFREEN apne pain ko zabt karne ke liye lagatar apne mom dad ke haste hue chehre ko yaad kar rahi thi thi wahin MABEL lagatar ek energy source par apna dhyan kendrit kiye hue thi...

aur yunhi karte karte jaise hi 50 seconds cross hua, VIOLET WHIZZ ke chehre par khushi dikhne lagi....

dhadakte dil se pray karti hui wo MABEL aur ALFREEN ke kaamiyab hone ka wait karne lagi aur tabhi.....

1 minute pura ho chuka tha aur ab tak MABEL aur ALFREEN ka CEREBRATION process paused hi tha jiski wajah se ek tez urja jaisi MAHI ke waqt nikli thi,thik waisi hi us pure room me fail gayi aur sidhe jaakar VIOLET WHIZZ ke bichaye shield se takrayi ...

us urja ke prabhaav se sabhi ki aankhen band ho gayi par kuch hi der par jab wo saari urja wapas MABEL aur ALFREEN me samayi,toh sab kuch saamanya ho gaya aur aisa hote hi ALFREEN aur MABEL ki aankhen khul gayi...


VIOLET-finally... MABEL, ALFREEN,you did it...u both have successfully amplified the first percent of ur soul....


jahan VIOLET WHIZZ ki baat sun sabhi SAVENTS khush hue wahin MABEL aur ALFREEN ki khushi ka toh thikana hi nahi raha....

dono ne turant ek dusre ko hug kiya aur fir ALFREEN jo beech me baithi thi, MAHI ko hug karne ke liye palti par....

MAHI ab bhi CEREBRATION process ke beech hi thi jisse dekh ALFREEN toh chup chaap uske taraf dekhne lagi par uske saath saath baaki sab aur VIOLET WHIZZ ka dhyan bhi MAHI ki taraf gaya...

MAHI ne baakiyon se bohot pehle apne process ko pause kar liya tha...

VIOLET WHIZZ ne gaur kiya ki MAHI ke CEREBRATION process ko paused hue ab tak 8 minute se upar ho chuke hain...

im teen mahino me MAHI ne 9 minute tak apne CEREBRATION process ko pause rakhna sikh liya tha jo sabhi jaante the aur isiliye filhal normal the par jaise hi wo waqt 9 minute se upar nikalne laga toh....

VIOLET WHIZZ ki ankhen hairat se badi hone lagi....unhe bhi nahi laga tha ki MAHI itni jaldi 2 percent SOUL AMPLIFICATION ki holder banane ke kareeb pahunchegi kyunki isse pehle itni jaldi aisa kabhi nahi hua tha...

dhadakte dil se wo MAHI ki taraf dekhne lagi aur tabhi....

SNNNNN...SNNNNN.......

ek behad strong magnetic force rupi urja se pura room bhar gaya jiski wajah se wahan moujud sabko aisa lagne laga maano sabhi wahan ki floor se chipak se gaye hain....

itne strong force ko feel kar ek second ke liye toh VIOLET WHIZZ bhi hairan hui par fir unhe laga ki MAHI ke itni jaldi ye achievement karne ki wajah se aisa hua hai...

wahin kuch der tak wo magnetic force yunhi pure class me faili rahi par fir dheere dheere wo urja MAHI ke andar sama gayi aur aisa hote hi magnetic field jo us urja ki wajah se paida hui thi,wo bhi khatm ho gayi aur MAHI ki aankhen khul gayi...

aankh khulte hi uski nazar uske saamne khadi VIOLET WHIZZ par gayi jo aankhon me proudness liye ussi ki taraf dekh rahi thi....


VIOLET- CHOSEN'S ke 25 hazar saal ke itihaas me aisa kabhi nahi hua ki kisi bhi NEW BORN SAVENT ne season ke pehle 6 month ke andar apne SOUL ko 2 percent tak AMPLIFY kar liya ho...

MAHI you are the very first to achieve this feat....and i am very proud and honoured to witness this moment...


VIOLET WHIZZ ki baat sun aabhi SAVENTS shocked ho gaye the...

unke beech itna rare talent moujud hai,ye unme se kisi ne bhi nahi socha tha...


VIOLET-and ALFREEN, MABEL...aapne bhi aaj khud ke SOUL AMPLIFICATION ki journey ko start kar diya hai..

so congrats.....

MABEL/ALFREEN-thanks WHIZZ...


ALFREEN aur MABEL ke baare me jaankar MAHI bhi bohot khush ho gayi thi....

wo un dono ko congratulate karne hi waali thi ki...


VIOLET-so SAVENTS...aaj ki classes yahin khatm hoti hai.. jaisa ki aap sabko pata hai ki kal classes nahi lagengi...

kal aap sab SWEEP-STAKE competition dekhne jaayenge aur uske liye aap sab har din ki tarah regular waqt par hi yahan baahar ground me assemble honge..

yahan se jaisa formation bataya gaya tha,ussike hisaab se aap sab INSTITUTION ke third PHASE ke block ki taraf jaayenge...

ok then.. I'll see you tomorrow....


ye bol WHIZZ class se nikal gayi....


WHIZZ ke jaate hi MAHI ne turant ALFREEN aur MABEL ko hug kar unke achievement ki badhayi di...

un dono ne bhi MAHI ko aaj ke uske achievement ke liye usse congrats kaha...

in teeno ke ek dusre ko badhayi dene ke baad sabhi SAVENTS jo wahan par the, unhone bhi teeno ko congrats kaha...

aur is tarah in sabki aaj ki classes aur saath hi is INSTITUTION ke first 6 months pure hue....



WAHIN DUSRI CLASS ME:-



OMMIN-ACCHUTA,SLUNDER aur BROWNY.... unfortunately bas aap teeno hi aise hain jinhone ab tak apne SOUL AMPLIFICATION ko trigger nahi kiya hai...

aur isiliye aap sab apne baaki fellow SAVENTS se alag kal competition dekhenge....

ACCHUTA- WHIZZDER,kya aisa nahi ho sakta ki hum teeno ye competition dekhna skip kar den...

NOX-bilkil nahi...aur teen nahi chaar...SWEEP-STAKE CHOSEN'S ki pratha hai jisme yahan ke har SAVENT ko shaamil hona hi padta hai...

aur isiliye ACHHUTA aur SLUNDER...kal morning regular time me hi aap apne saath RAAZ ko bhi lekar aayiyega... uska kal competition ko dekhne aana compulsary hai....


dono WHIZZDERS ke bolne ya fir ye kahun ki faisla sunaane ke baad ACCHUTA ke paas bolne ke liye kuch bacha hi nahi tha...

wahin apni baat bol teeno WHIZZ aur WHIZZDERS class se nikal gaye...

WHIZZ aur WHIZZDERS ke jaane ke baad BROWNY naam ka wo SAVENT bhi chupchaap class se nikal gaya....


ACHHUTA-yaar SLUNDER...ek baat toh bata....wo kaun sa gadha hoga jiske lu**d se hamari kismat likhi gayi hai...

SLUNDER-sun,mera dimag waise hi bohot kharab hai,tu mujhe aur ghussa mat dila...

ACCHUTA-abbe apne ghusse ko apni ga**d me ghussa le...kuch toh sahi istemaal hoga uska...

SLUNDER-abbe yahan kal hume bhikariyon ki tarah alag khada hokar competition dekhna hoga aur tujhe abhi bhi mazak sujh raha hai...

ACCHUTA-bhai sujh toh mera gaa*d gaya hai itne dino se ye AMPLIFICATION ko ragadte ragadte....

amplification naam ka ghanta toh baja nahi, lekin hamari zaroor baj gayi...par ab kar bhi kya sakte hain.....

bajayenge kal ghanta......


ye bol ACHHUTA aur SLUNDER bhi class se nikal gaye....




PLACE-HEAVEN



HUMAN FORM KO CHHODE SADIYA BEET CHUKI HAIN,PAR NAZARON SE JAZBAAT ZAAHIR KARNE KA HUNAR AAPKO AAJ BHI KHUB AATA HAI AV....


aankhen band thi VIKRAM ki..par dekhne ke liye aankhon ki zaroorat toh thi nahi LORD OF ANGELS ko...

aur jab baat AVANTIKA aur uske bhaavon ki ho toh usse toh VIKRAM insaani form me bhi bina dekhe mehsoos kar leta tha...

apni taraf ghurti hui AV ko mehsoos kar muskurate hue VIKRAM ne ye baat kahi jisse sunane ke baad bhi jab AVANTIKA ne kuch kaha nahi toh VIKRAM ne aankhen khol uski khubsoorat chehre ki taraf rukh kiya...

narazagi,fikr,udaasi sab dikh raha tha is waqt AVANTIKA ke chehre par jisse dekh....


VIKRAM-har haalaat ka tod nikal sakta hun mai,par tere rukhsaar ko dekh apni bigadti haalat ko kaise sambhalu....!!!!


ek baar fir muskurate hue VIKRAM ne apni baat kahi jisse sun....


AVANTIKA-ye mazak ka waqt nahi hai VIKRAM...

VIKRAM-sach...ek aisi bhaavna jo kayi nayi bhavnaaon ko janm deti hai..

kabhi isse sun krodh janm leta hai,toh kabhi prem...aur filhal aapko satya mazak laga toh isme mai kya kar sakta hun....

AVANTIKA-aap sab kuch kar sakte hain par sawal ye hai ki kya aap kuch karna chahenge bhi...!!!!

MAI-mai toh apna kaam hamesha se hi karta chala aa raha hun..mai wo rasta hun jo har raahgir ko uski manzil tak le jaa sakta hai...

par us raaste par chalna,aur apni manzil tak pahunchna,ye faisla raahgir ka hai...


AVANTIKA ko pata tha ki behes aur tark vitark me wo VIKRAM se nahi jeet sakti aur isiliye usne sidhe mudde par aane ki sochi....


AVANTIKA-jo hua,jo dikhaya gaya,keh dijiye ki wo bas ek matibhram tha aur kuch nahi....

VIKRAM-matibhram aur vaastavikta soch rupi sikke ke do pehlu hain....

jo pehlu nazaron ke saamne hota hai,wo vaastavikta ka pramaan hota hai aur jo chuppa hua hai,wo us waqt ke liye ek matibhram hai....

AVANTIKA-kya ye tarika uchit hoga...!!!!

VIKRAM-uchit aur anuchit ki paribhasha bohot pechida hoti hai AV....

pida dene waale ko pida uchit lagti hai par pida sehne waale ko wahi pida anuchit pratit hoti hai...

par in dono shabd ke beech jo sabse mahatvapurn shabd chuppa hua hai,wo hai kaaran....

aur usse samajhna sabse zyada zaroori hota hai....


VIKRAM ki baaton ka koi jawab nahi tha AVANTIKA ke paas par phir bhi wo disturbed lag rahi thi...


MAI-AV...hum apne ANGEL aur DEVIL khud paida karte hain...

aur paida hote hi chaahen ya naa chaahen,un dono me dwandh aarambh ho hi jaata hai...

ab is dwandh me kaun jeetatha hai aur kaun haarta hai,ye koi aur tay nahi kar sakta...hum bhi nahi......

isiliye chinta chhodo aur apne soch ki drishti dusri taraf mod zara dekho....


WO WAQT JIS WAQT KA HAR WAQT KO INTAZAR THA,WO WAQT AA GAYA HAI...

WO WAQT JAB KARWAT LEGA YE ADHYAY.........

GHUMEGI PURI KAHANI AUR...........

EK BAAR FIR SE BADAL JAAYEGA PURA

.............ATTITUDE................






AAJ KE LIYE ITNA HI.....





AAPKA APNA V..J....
 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF MAHI NE APNE SOUL KO 2 PERCENT TAK AMPLIFY KAR LIYA HAI WAHIN DUSRI TARAF MABEL AUR ALFREEN NE BHI APNE SOUL KA FIRST PERCENT AMPLIFICATION KAR LIYA HAI...


AB AAGE:-



CHAPTER-1


(UNFOLD THE RAAZ)



MEGA UPDATE-33



PLANET-EYLSIAN


PLACE-ALFREENS ABODE




NAHI..............


ek tez cheekh ke saath ALFREEN uth gayi thi....

reason.....aaj usse fir wahi sapna aaya tha jisme RAAZ ne uske mom dad ko maar diya tha....

kuch der tak apne chadhe hue saanson ko kaabu me laane ke baad wo turant apne bed se utri aur apne mom dad ke room ki taraf chal padi....

aaj bhi FLORIN aur MARIA araam se so rahe the jisse dekh...


ALFREEN-ye sab kya ho raha hai mere saath...wahi sapna dobara kyun aaya mujhe???

aur aaj toh pichle baar se zyada realistic lag raha tha sab.....kahi ye sab mere INSTINCTS dwara catch kiye gaye pre intuitions toh nahi hai...!!!

nahi nahi..ye mai kya soch rahi hun.. aisa kabhi nahi ho sakta..mai aisa hone hi nahi dungi....

kuch hone ka intazar karne se acha toh ye hai ki kuch hone hi naa diya jaaye....

& i am gonna make sure about it...i will turn each and every stone around...


aakhri baat bolte waqt ALFREEN ki aankhon me ghussa saaf dikhne laga tha....

jaise har road ka koi na koi dead end hota hai,har aaghas ka ek anjaam hota hai,waise hi har soch se ek faisla janm leta hai aur har faisle ka ek natija hota hai...

ab dekhna ye hai ki kya faisla liya hai ALFREEN ne aur us faisle ka kya niklega natija...!!!!?????



NEXT DAY AT CHOSEN'S....



SWEEP-STAKE:-



GATHER AROUND SAVENTS.....


apne apne groups banaye khade SAVENTS ke kaano me VIOLET WHIZZ ki awaaz padi jisse sun sabhi apne regualar line formation me khade ho gaye...

subah ka waqt hai...as decided,sabhi SAVENTS apne regular waqt par CHOSENS ke PHASE 1 block ke ground me jama ho chuke hain aur unke saamne unke chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS moujud hain...

kal shaam ko ACCHUTA aur SLUNDER ne mujhe bataya tha ki aaj mujhe bhi INSTITUTION me aane ke liye kaha gaya hai aur isiliye aaj kaafi waqt ke baad mai bhi yahan sabhi SAVENTS ke saath khada hun...

sabko dekhne ke baad ek nazar chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS ne meri taraf bhi ghumaya aur fir...


OPHILIA-so finally,its SWEEP-STAKE time SAVENTS.... excited..!!!!

SAVENTS- yes WHIZZ....

OPHILIA-hona bhi chahiye...aaj jis competition ko dekhne aap sab jaane waale hain,yakin maaniye,aap sab ke future performance ke liye ye competition kisi moral boost se kam nahi hoga...

kaafi inspired hone waale hai aaj aap sab....


OMMIN-abhi thodi hi der me hum PHASE 3 block ke liye niklenge par usse pehle 2 important baatein jo aaj ke din se hi related hain,uske baare me jaan lijiye....

pehli.....

jaisa ki aap sabko humne bataya tha,aap sabke apne abhi tak ke performance ke according hi aaj aap sab SWEEP-STAKE witness karenge aur isiliye....


MAHI, ALFREEN,MABEL....aap teenon ek taraf ho jaaiye....aaj ka competition aap teeno PHASE 2 ke sabse respected group STELLARS ke saath baith kar dekhenge...


OMMIN ki baat sun khush hote hue MAHI, ALFREEN aur MABEL ek taraf hokar khadi hi gayi....

iske baad jinhone bhi apne soul ko trigger kar liya tha, OMMIN ne un sabka naam ek ek kar liya aur unhe bhi ek group banakar khada kar diya....


OMMIN-aap sabne bhi aaj ke competition ko witness karne liye ek respected jagah own kar li hai....

and now ACCHUTA, SLUNDER, BROWNY and RAAZ....kyunki aap sab baaki SAVENTS se piche hain, isiliye aap sabko sabse door khade hokar ye competition dekhna hoga....

itna hi nahi,wahan ke saare spectators, competition ke dauran wahan moujud sabhi PHASE 1 aur 2 ke SAVENTS ke liye snacks & beverages ka arrangment bhi rahega,siwaay aap chaaron ke...

aaj pure din aap chaaron kuch khaa ya pee nahi sakenge....

ACCHUTA dheere se-din bhar bhuka rehna padega....
saala koi apne ghar ki baayi ke saath bhi aisa nahi karta yaar...


OMMIN WHIZZDER ki baat sun ACCHUTA dheere dheere sabhi ko gaali de raha tha, SLUNDER aur BROWNY ka sir jhuka hua tha, mujhe koi fark nahi pad raha tha,aur baaki sabhi SAVENTS humare liye pity feel kar rahe the but in sabke beech ALFREEN bas mujhe ghusse se ghur ghur kar dekh rahi thi...


NOX-ye toh hui pehli baat.. aur dusri baat hai khud SWEEP-STAKE....

is competition ko dekhne se pehle mai aapko iske baare me bata deta hun kyunki ek baar aap SWEEP-STAKE combat jahan hone waala hai,wahan pahunch gaye toh uske baad humara aapse intaraction nahi ho paayega...

aap hi ki tarah hum WHIZZDERS aur WHIZZES ke liye bhi alag se baithne ke arrangements hote hain..

jaisa ki aap sabko pata hai ki SWEEP-STAKE ka matlab hota hai khudki saamne waale par superiority dikhana...

bas issi defination ko ek roop deta hai ye competition....

ye competition do teams ke beech hota hai..ye teams aur koi nahi balki wo do groups hain jinse third PHASE divide hota hai....

WICKEDS.....

MORALS.......

ye wo do groups ke naam jinme se koi ek GROUP final PHASE me aapka ghar hoga....aapka parivaar hoga....

ab baat karen is competition ki toh WICKEDS aur MORALS ke beech ka ye competition ZUNYATA aur SATYATATI ko aadhar banakar khela,lada aur jeeta jaata hai...

ZUNYATA matlab unreal
aur SATYATATI matlab real....

ek bade se stadium me jo ki maayavi hota hai,wahan hota hai ye competition jisme samay ke saath ascending order me alag alag real aur unreal metaphysical aur magical chunoutiyan milti hai jinhe as a group dono hi teams ko handle kar jeetna padta hai....

samajh gaye aap sab????

SAVENTS- yes WHIZZDER...


utsah aur khushi,dono hi bhaav jhalke the SAVENTS ki awaaz me.. competition kaisa hoga,iske baare me jaankar sabhi ka excitement level ek alag hi mukaam par pahunch gaya tha...

MAHI ne toh abhi se hi khudko ek din us competition me part leta hua dekhna shuru kar diya tha...

MABEL ka bhi same haal tha..waise ALFREEN bhi ye sab sun kaafi excited thi par uska aadha dhyan kahin aur tha....


OPHILIA-its time SAVENTS...lets go aur haan,aap sab ke parents pehle hi battle ground me pahunch chuke hain...

so let's move....


ye bol chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS aage badhe aur jis tarah hume khada kiya gaya tha,ussi formation me hum bhi unke piche ho liye...



BATTLE GROUND.......


YES MAHI....any problem???


PHASE 1 block cross karke PHASE 2 block se nikalte hue hum PHASE 3 block ke beech bane ek bohot bade ground ke baahar khade the......

ye ground darasal ek bohot hi bada stadium tha,jisme alag alag entrace the aur unhi entrance me se ek ke baahar the hum sab is waqt...

yahan pahunch OPHILIA WHIZZ kuch kehne hi waali thi ki tabhi MAHI ne apna haath upar kiya...

wahin WHIZZ ke kehte hi....


MAHI- WHIZZ, PHASE 1,PHASE 2 ke end me do bade bade gigantic bells lage hue the...wo kis liye hain...???


aate waqt MAHI ne un do bade bells ko dekh liya tha but kyunki aaj tak wo bell kisi bhi reason se baje nahi the, isiliye uske man me ye sawal aaya tha jo usne puch liya...


OPHILIA-wo bells is INSTITUTION ke danger alarms hain...ek invisible information force se jude hain wo bells..

waise do nahi kul teen bells hain..third PHASE ka bell is block ke aakhri chhor me hain...

agar kabhi kisi PHASE me kuch anhoni hui,toh us PHASE ka bell baj uththa hai...

par har PHASE ka bell sirf wahan ke incharges,matlab us PHASE ke liye appoint kiye gaye WHIZZES aur WHIZZDERS se hi juda hota hai,aur isiliye sirf unhi WHIZZES aur WHIZZDERS ko un bells ki awaaz sunayi deti hai jis PHASE me kuch bohot galat hua hota hai....


OPHILIA WHIZZ ki bat sun ek baar fir sabhi SAVENTS hairan hue...kya kya chizen possible ho sakti hai magic se,ye ab dheere dheere un sabko samajh me aa raha tha...


wahin OPHILIA WHIZZ apni baat aage badhane hi waali thi ki....


WELL,LOOK WHO'S HERE...!!!!!THE WISE FOURGIES....


ek awaaz aayi stadium ke entrance ki taraf se jisse sun WHIZZES aur WHIZZDERS palte aur saath hi hum sabki nazar bhi us taraf gayi toh humne dekha ki 3 log humari hi taraf aa rahe the...

jinme se 2 male the aur ek female aur jo baat abhi kahi gayi thi,wo us female ne kahi thi jo muskurate hue hamare paas aayi aur apne waist par apne dono haath rakh khadi ho gayi...

wahin uske saath jo do males aaye the,wo aage badhe aur baari baari hamare chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS se gale mil unhe greet kiya...

gale milne ke baad...


VIOLET-kaisi ho MABBA.....???


apne waist par haath rakh khadi lady se VIOLET WHIZZ ne ye kaha jisse sun...???


MABBA-taklifen zameen ko hoti hain..aasman toh hamesha mast hi rehta hai....


MABBA ki baat sun uske saath aaye dono bando ne apne sir ko shake kiya aur VIOLET WHIZZ bas muskura di wahin hamare baaki ke teeno WHIZZ aur WHIZZDERS normally hi khade rahe aur wo shayad isiliye kyunki wo jaante the ki MABBA aisi hi hai...

a troubling bitch.....


VIOLET-SAVENTS....apne next PHASE ke teeno WHIZZ aur WHIZZDERS se miliye...

SAPIUS,REGIS aur ye hain MABBA.....


VIOLET WHIZZ ne un teeno ki taraf ek ek kar point karte hue hume unke naam bataye...


SAVENTS-GOOD MORNING WHIZZ...GOOD MORNING WHIZZDERS......

SAPIUS/REGIS-GOOD MORNING SAVENTS....toh aap hain hamare agle batch...its really nice to meet you all...


SAPIUS aur REGIS, dono hi hamare WHIZZES aur WHIZZDERS ki tarah kaafi milansaar the,aur ussi tarah unhone sabhi SAVENTS se baat ki.....


MABBA- aapme se MAHI kaun hain....???


SAPIUS aur REGIS ki baat khatm hote hi MABBA ne ye sawal kiya jiske baad VIOLET WHIZZ ne MAHI ko aage aane ke liye kaha...

aur MAHI ke aage aate hi MABBA uske saamne khadi hui aur uske kandhe par apna ek haath rakh diya..


MABBA-khushi sirf deserving logon se milkar honi chahiye thik waise jaise mujhe tumse milkar ho rahi hai...

ummid karti hun ki jo galti dusron ne ki,wo tum nahi karogi...bas ek baat yaad rakhna, acchayi,burayi sirf shabd hain aur kuch nahi..

important hai TAAKAT...SHAKTI...jiske paas ye hai,wahi accha hai aur sirf wahi saccha hai...


aadhi baat VIOLET WHIZZ ki taraf aur aadhi baat MAHI ko dekhte hue unhone kahi thi...

wahin unki baat MAHI ko sahi toh nahi lagi par kyunki MABBA uski next PHASE ki WHIZZ thi,isiliye wo chup hi rahi...

wahin apni baat kehne ke baad....


MABBA-chalo...tumhe aaj humare PHASE ke best SAVENTS ke saath baithna hai...

MAHI ko pakde pakde unhone ye kaha aur usse apne saath lejaane ke liye mudne hi waali thi ki....


VIOLET- ek second MABBA... MAHI ke saath saath MABEL aur ALFREEN ne bhi tumhare STELLARS group me baithne ke liye qualify kiya hai.. unhe bhi saath le jaao...


apni baat keh WHIZZ ne MABEL aur ALFREEN ko jaane ka ishara kiya jiske baad wo dono bhi MABBA ke paas jaakar khade ho gaye...


MABBA-impressive....jo baat maine MAHI se kahi,wahi tum dono ke liye bhi hai...baakiyon se aage ho tum teeno,par agar future me bhi aisa hi chahte ho toh sirf POWER par focus rakhna...

uske shroth par nahi.....


ye bol teeno ko lekar MABBA aage badh gayi wahin unke jaane ke baad SAPIUS aur REGIS kuch der tak hamare chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS se baat kar ek taraf chal diye...

OPHILIA- mere piche aayiye SAVENTS...


ye bol OPHILIA WHIZZ ek taraf ko aage badhi aur unke piche sabhi SAVENTS ho liye...


OMMIN- ACCHUTA, SLUNDER, BROWNY, RAAZ...aap chaaron mere piche aayiye...


OMMIN ke aisa kehte hi hum chaaron unke piche ho liye..

ye teeno toh behad sad dikh rahe the par mai hamesha ki tarah normal tha...

aage badhte hue hum ek jagah pahunche jahan pahunchte hi ACCHUTA, SLUNDER aur BROWNY ka face aur sukh gaya..

reason...

hum stadium ke ek entrance gate par khade the jiske baahar UNDERSERVING likha tha...

ab mooh sukhao ya bhale hi ro lo,jaana toh yahin par tha aur isiliye ek ek kar hum us entrance se hote hue andar chale gaye...

andar pahunch humne dekha ki pura stadium audience se bhara hua tha...ye audience aur koi nahi balki purane passed out SAVENTS aur unki families the...

sabhi audience zoron shoron se awaazein nikal rahe the,gaane ga rahe the jisse mahoul kaafi sahi lag raha tha...

kaafi saare blocks bane the stadium me aur har block ke side me wahan baithe logon ke liye food aur beverages ka intazam kiya gaya tha...

par jahan hum chaaron the,wo jagah pure stadium se alag thi....

baithne le liye seats toh the nahi par saath hi behad garmi aur humidity bhi thi yahan....

floor pura ganda tha...aur ek ajeeb si badbu bhi aa rahi thi,jo ki saalon se safayi naa karne par aati hai...

hume wahan chhod OMMIN WHIZZDER jaa chuke the...mai ek jagah chup chaap khada ho gaya tha...


ACCHUTA-ga**d maarne aur marwane ke liye badhiya jagah hai ye bhai....

SLUNDER- tu chup rahega..yaar kitni garmi hai yahan....pure din bina khaaye aur bina piye kaise rahenge hum yahan....???

ACCHUTA-mooth piyega...waise lag toh nahi raha hai,par teri dosti ki khaatir mai koshish karta hun nikaalne ki...

tu bas niche mooh khol kar baith jaa....


issi tarah SLUNDER aur ACCHUTA hamesha ki tarah apni bakwas karne me lag gaye wahin mai aur BROWNY chup chaap khade the...



PHASE 2 STAND:-


WOW.....AMAZING....BAAHAR SE PATA HI NAHI CHAL RAHA THA KI ANDAR KA NAZARA AISA HOGA....


MAHI ne excitement me ye baat kahi thi jisse stadium ke shor ki wajah se MABEL aur ALFREEN aadhi hi sun paayi thi.....

MABBA in teeno ko yahan second PHASE ke STELLARS group ke beech laayi thi aur fir group ke sabhi SAVENTS se unka intro karwaya tha...

sabhi in teeno ko dekhkar kaafi khush the siway do logon ke...

ANWIR aur MORANA...

dono hi ghusse se in teeno ko dekh rahe the,khaaskar MAHI ko....

khair,intro ke baad teeno apni apni seats par baith gayi...har taraf nazaren ghumate hue MAHI ki nazar ek jagah rooki aur...


MAHI-wo dekh AL,uncle aunty....


MAHI ki baat sun ALFREEN ki nazar stadium ke dusre bhaag me gayi jahan par stand ke upar PARENTS likha hua tha...

unke stand ke pure ulat side tha wo stand jahan is waqt baaki current aur ex SAVENTS ke parents baithe hue the....

wo stand kaafi door tha but MAHI, MABEL aur ALFREEN clearly wahan baithe FLORIN aur MARIA ko dekh paa rahe the aur iski wajah thi un teeno ki SOUL...

apne SOUL ko AMPLIFY kar lene ki wajah se ab unki drishti bhi pehle se 10 guna tak tez ho gayi thi...

apne mom dad ko baaki parents ke saath milkar hooting karta dekh ALFREEN ke chehre par smile aa gayi...

par ye smile kuch seconds ki hi thi kyunki apne mom dad ko dekhne ke baad uski nazar thodi aur aage gayi jahan stadium ka last stand bana hua tha aur wahan is waqt RAAZ ek jagah tik kar khada tha....

RAAZ ko apne mom dad ke stand ke paas dekh ALFREEN ke man me ek ajeeb se dar ne ghar kar liya tha....

par tabhi.....


MABEL-arre wahan side me kya dekh rahi hai...???saamne dekh....


ALFREEN ke kandhe se hilate hue MABEL ne ye kaha aur jab ALFREEN ne saamne dekha toh...


SWINNNNNNN........


maidan ke ek taraf KAALE aur BHURE rang ke gaadhe colour se bane dhuen ko neeche chhodte hue ek saath das aakriti upar hawa me uththe chale gaye aur ek point par aakar ruk gaye....

unke upar hawa me rookte hi unse just upar bade bade KAALE aksharon me kuch akshar ubharne lage aur jab un aksharon ne khudko likhna pura kiya toh....

....WICKEDS......


is naam ki dhwani se aadhe se zyada stadium goonj utha...yahi likha tha un aakritiyon ke upar aur aisa hone ke baad un aakritiyon me bhi badlaaw aane laga aur dekhte hi dekhte wo 10 aakritiyon human forms me badal gayi....

complete black stretchable outfit pehne ye 10 PHASE 3 ke pehle group WICKEDS ke SAVENTS the jo hawa me uthe hue sabhi audience ko haath hilate hue abhivaadan de rahe the.....

sab unhe dekh hi rahe the ki tabhi.....

maidan ke dusre chhor me kuch same nazara banane laga...

maidan ke us dusri taraf WHITE aur PINK rang ke gaadhe colour se bane dhuen ko neeche chhodte hue ek saath das aakriti upar hawa me uththe chale gaye aur WICKEDS ki point par aakar ruk gaye....

unke upar hawa me rookte hi unse just upar bade bade WHITE aksharon me kuch akshar ubharne lage aur jab un aksharon ne khudko likhna pura kiya toh....


MORALS......


ab is naam se aadha stadium goonj utha...


yahi likha tha un aakritiyon ke upar aur aisa hone ke baad un aakritiyon me bhi badlaaw aane laga aur dekhte hi dehte wo 10 aakritiyon human forms me badal gayi....

complete white stretchable outfit pehne ye dus SAVENTS PHASE 3 ke MORALS the jo haath hawa me lehra sabhi ka abhivaadan kar rahe the....

wahin ye sab dekh MAHI, ALFREEN aur MABEL ka excitement level bhi kaafi badh gaya tha...

aakhon me attha utsah liye wo teeno is nazare ko dekh rahi thi...

kuch der tak WICKEDS aur MORALS ke naam ki gunj pure stadium me hoti rahi aur fir....


BOOM........

MORALS aur WICKEDS ke beech ek dhamaka sa hua aur us dhamake ke beech prakat hue MABBA aur VIOLET....

apne WHIZZ ko competition ke beech dekh MAHI, ALFREEN aur MABEL khushi se ucchal padi....

MABBA aur VIOLET is competition ki ARBITER (REFEREE) thi...

WICKEDS ke dress colour ki hi tarah ek black robe me thi MABBA wahin VIOLET MORALS ke dress colour ko match karte hue white robe pehna hua tha VIOLET WHIZZ ne....


MABBA/VIOLET-MORALS,WICKEDS...GATHER AROUND....


dono WHIZZ ke aisa kehte hi hawa me tairte hue WICKEDS aur MORALS unke dono side me aakar rook gaye...

dono hi teams ek dusre ko ghhuse de dekh rahe the...


MABBA-ummid karti hun ki aap dono hi teams fair play khelenge....

ZUNYATA AUR SATYATATI ke challange me aap sirf apne performance ko better karne me dhyan denge naaki dusri team ke performance me dakhal dene ki koshish karenge....

aisa karna foul play hai jisse aap disqualify ho jaayenge....

understood.....


MORALS/WICKEDS-yes WHIZZ...

VIOLET/MABBA-so let the show begin.....


apne haath ko failate hue dono WHIZZES ne ye baat kahi jiske baad....


PRATYARTHTHAYATI SAMOGAMA

CHALLENGE APPEAR..


SPELL bolte hi dono WHIZZES hawa me upar uthi aur ek nirdharit uchayi par pahunch rook gayi...

wahin unke spell bolne ke agle hi second stadium ka pura nazara hi badal gaya....

kuch der pehle jahan WICKEDS khade the,ab wahan aag ki ek diwal ban gayi jiski gravitational force itni zyada thi ki wo 10 WICKEDS uski taraf kheechane lage....

wahin dusri taraf jahan kuch der pehle MORALS khade the,wahan is waqt ek paani ki diwal ban chuki thi...

us paani me ek tez chakrawat aaya hua tha jiske gravitational pull ki wajah se MORALS uski taraf kheenchte chale jaa rahe the....

behatarin drishya tha jisse mantramugdh se hue sabhi audience dekh rahe the...



PARENT'S STAND:-


WO RAAZ HAI NAA....!!!!


FLORIN ne apni gardan me halki akdan mehsoos ki jiski wajah se usne apne sir ko daayen baayen jhatka diya aur issi dauran usse apne stand se kuch door ek bada par ujda sa stand dikha jiske ek chhor par khada hua tha RAAZ...

usse dekh FLORIN ne ye baat kahi jiske baad MARIA ki nazar bhi udhar ghumi aur....


MARIA-arre haan..ye toh RAAZ hi hai...


RAAZ ko is tarah ek ujdi si jagah me khada dekh FLORIN ko acha toh nahi lag raha tha but MAHI ne kal unhe bataya tha ki kaun sa SAVENT kahan baithega aur kyun usse wo jagah di gayi thi....

is situation ke liye wo kuch kar toh nahi sakte the but unhe RAAZ se baat karne ka man hua aur....


FLORIN-mai aata hun uske paas se...


ye bol FLORIN uthe aur baahar ki taraf chal pade...



PHASE 2 STAND:-



YE MOM AUR POPS KAHAN JAA RAHE HAIN...???


apne stand me baithi ALFREEN jo competition dekh rahi thi,wo bhi beech beech me apne mom dad ke stand ki taraf dekh leti thi aur is baar jab usne aisa kiya toh dekha ki uske dad RAAZ ki taraf dekh rahe the aur fir wo uthe aur baahar ki taraf chal pade aur unke piche MARIA bhi chal padi jisse dekh ALFREEN ko ek jhatka laga...

usse shak hua ki kahin uske mon dad RAAZ ke paas toh nahi jaa rahe aur ye khayal aate hi ek ajeeb si bechaini paida hui ALFREEN ke man me..

usne ek baar MAHI aur MABEL ki taraf dekha jo is waqt competition dekhne me khoye hue the...

wo chupchaap uthi aur apne stand se baahar nikal gayi is baat se anjaan ki wahan do log the jinhone usse baahar jaata dekh liya tha....



PARENT'S STAND:-


STOP FLORIN.....


FLORIN jo apne stand ke gate se baahar nikalne hi waale the,unhe piche se MARIA ne rookne ke liye kaha jisse sun wo rook gaye...


MARIA-mujhe nahi lagta ki tumhe RAAZ ke paas jaana chahiye....


MARIA ki baat par FLORIN kuch kehne hi waale the ki...


MARIA-i know ki tumhe uski chinta hai..aur itne din baad usse dekhne ki wajah se tum usse milna chahte ho, usse baat karna chahte ho but don't u think ki wo aisa nahi chahta hoga...

i mean,koi bhi usse kisi bhi matter par baat kare,ye RAAZ ko acha nahi lagta...

tum bhale hi usse kitni hi positive ya normal baat kyun naa karo,par wo usse negetive hi lega aur negetive hi bolega...

i think we should just leave him alone...jab tak usme logon ke lekar badlaaw nahi aata,hume bhi usse door hi rehna chahiye...

ye uske liye bhi acha hi hai kyunki usse akela rehna,kisise bhi baat naa karna acha lagta hai....


MARIA ki baat sahi thi..kuch der tak uski baaton par sochne ke baad...


FLORIN-i think u are right...usse space chahiye aur hume usse wo dena chahiye...


apni wife ko side se thaamte hue FLORIN wapas palte aur apne seat par jaakar baith gaye is baat se anjaan ke unke bas RAAZ ko milne ke khayal bhar se uth kar jaane ki wajah se ye...

PURI KAHANI BADALNE WAALI HAI.....






AAJ KE LIYE ITNA HI.....





AAPKA APNA V.J..
 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF MAHI NE APNE SOUL KO 2 PERCENT TAK AMPLIFY KAR LIYA HAI WAHIN DUSRI TARAF MABEL AUR ALFREEN NE BHI APNE SOUL KA FIRST PERCENT AMPLIFICATION KAR LIYA HAI...


AB AAGE:-



CHAPTER-1


(UNFOLD THE RAAZ)



MEGA UPDATE-33



PLANET-EYLSIAN


PLACE-ALFREENS ABODE




NAHI..............


ek tez cheekh ke saath ALFREEN uth gayi thi....

reason.....aaj usse fir wahi sapna aaya tha jisme RAAZ ne uske mom dad ko maar diya tha....

kuch der tak apne chadhe hue saanson ko kaabu me laane ke baad wo turant apne bed se utri aur apne mom dad ke room ki taraf chal padi....

aaj bhi FLORIN aur MARIA araam se so rahe the jisse dekh...


ALFREEN-ye sab kya ho raha hai mere saath...wahi sapna dobara kyun aaya mujhe???

aur aaj toh pichle baar se zyada realistic lag raha tha sab.....kahi ye sab mere INSTINCTS dwara catch kiye gaye pre intuitions toh nahi hai...!!!

nahi nahi..ye mai kya soch rahi hun.. aisa kabhi nahi ho sakta..mai aisa hone hi nahi dungi....

kuch hone ka intazar karne se acha toh ye hai ki kuch hone hi naa diya jaaye....

& i am gonna make sure about it...i will turn each and every stone around...


aakhri baat bolte waqt ALFREEN ki aankhon me ghussa saaf dikhne laga tha....

jaise har road ka koi na koi dead end hota hai,har aaghas ka ek anjaam hota hai,waise hi har soch se ek faisla janm leta hai aur har faisle ka ek natija hota hai...

ab dekhna ye hai ki kya faisla liya hai ALFREEN ne aur us faisle ka kya niklega natija...!!!!?????



NEXT DAY AT CHOSEN'S....



SWEEP-STAKE:-



GATHER AROUND SAVENTS.....


apne apne groups banaye khade SAVENTS ke kaano me VIOLET WHIZZ ki awaaz padi jisse sun sabhi apne regualar line formation me khade ho gaye...

subah ka waqt hai...as decided,sabhi SAVENTS apne regular waqt par CHOSENS ke PHASE 1 block ke ground me jama ho chuke hain aur unke saamne unke chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS moujud hain...

kal shaam ko ACCHUTA aur SLUNDER ne mujhe bataya tha ki aaj mujhe bhi INSTITUTION me aane ke liye kaha gaya hai aur isiliye aaj kaafi waqt ke baad mai bhi yahan sabhi SAVENTS ke saath khada hun...

sabko dekhne ke baad ek nazar chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS ne meri taraf bhi ghumaya aur fir...


OPHILIA-so finally,its SWEEP-STAKE time SAVENTS.... excited..!!!!

SAVENTS- yes WHIZZ....

OPHILIA-hona bhi chahiye...aaj jis competition ko dekhne aap sab jaane waale hain,yakin maaniye,aap sab ke future performance ke liye ye competition kisi moral boost se kam nahi hoga...

kaafi inspired hone waale hai aaj aap sab....


OMMIN-abhi thodi hi der me hum PHASE 3 block ke liye niklenge par usse pehle 2 important baatein jo aaj ke din se hi related hain,uske baare me jaan lijiye....

pehli.....

jaisa ki aap sabko humne bataya tha,aap sabke apne abhi tak ke performance ke according hi aaj aap sab SWEEP-STAKE witness karenge aur isiliye....


MAHI, ALFREEN,MABEL....aap teenon ek taraf ho jaaiye....aaj ka competition aap teeno PHASE 2 ke sabse respected group STELLARS ke saath baith kar dekhenge...


OMMIN ki baat sun khush hote hue MAHI, ALFREEN aur MABEL ek taraf hokar khadi hi gayi....

iske baad jinhone bhi apne soul ko trigger kar liya tha, OMMIN ne un sabka naam ek ek kar liya aur unhe bhi ek group banakar khada kar diya....


OMMIN-aap sabne bhi aaj ke competition ko witness karne liye ek respected jagah own kar li hai....

and now ACCHUTA, SLUNDER, BROWNY and RAAZ....kyunki aap sab baaki SAVENTS se piche hain, isiliye aap sabko sabse door khade hokar ye competition dekhna hoga....

itna hi nahi,wahan ke saare spectators, competition ke dauran wahan moujud sabhi PHASE 1 aur 2 ke SAVENTS ke liye snacks & beverages ka arrangment bhi rahega,siwaay aap chaaron ke...

aaj pure din aap chaaron kuch khaa ya pee nahi sakenge....

ACCHUTA dheere se-din bhar bhuka rehna padega....
saala koi apne ghar ki baayi ke saath bhi aisa nahi karta yaar...


OMMIN WHIZZDER ki baat sun ACCHUTA dheere dheere sabhi ko gaali de raha tha, SLUNDER aur BROWNY ka sir jhuka hua tha, mujhe koi fark nahi pad raha tha,aur baaki sabhi SAVENTS humare liye pity feel kar rahe the but in sabke beech ALFREEN bas mujhe ghusse se ghur ghur kar dekh rahi thi...


NOX-ye toh hui pehli baat.. aur dusri baat hai khud SWEEP-STAKE....

is competition ko dekhne se pehle mai aapko iske baare me bata deta hun kyunki ek baar aap SWEEP-STAKE combat jahan hone waala hai,wahan pahunch gaye toh uske baad humara aapse intaraction nahi ho paayega...

aap hi ki tarah hum WHIZZDERS aur WHIZZES ke liye bhi alag se baithne ke arrangements hote hain..

jaisa ki aap sabko pata hai ki SWEEP-STAKE ka matlab hota hai khudki saamne waale par superiority dikhana...

bas issi defination ko ek roop deta hai ye competition....

ye competition do teams ke beech hota hai..ye teams aur koi nahi balki wo do groups hain jinse third PHASE divide hota hai....

WICKEDS.....

MORALS.......

ye wo do groups ke naam jinme se koi ek GROUP final PHASE me aapka ghar hoga....aapka parivaar hoga....

ab baat karen is competition ki toh WICKEDS aur MORALS ke beech ka ye competition ZUNYATA aur SATYATATI ko aadhar banakar khela,lada aur jeeta jaata hai...

ZUNYATA matlab unreal
aur SATYATATI matlab real....

ek bade se stadium me jo ki maayavi hota hai,wahan hota hai ye competition jisme samay ke saath ascending order me alag alag real aur unreal metaphysical aur magical chunoutiyan milti hai jinhe as a group dono hi teams ko handle kar jeetna padta hai....

samajh gaye aap sab????

SAVENTS- yes WHIZZDER...


utsah aur khushi,dono hi bhaav jhalke the SAVENTS ki awaaz me.. competition kaisa hoga,iske baare me jaankar sabhi ka excitement level ek alag hi mukaam par pahunch gaya tha...

MAHI ne toh abhi se hi khudko ek din us competition me part leta hua dekhna shuru kar diya tha...

MABEL ka bhi same haal tha..waise ALFREEN bhi ye sab sun kaafi excited thi par uska aadha dhyan kahin aur tha....


OPHILIA-its time SAVENTS...lets go aur haan,aap sab ke parents pehle hi battle ground me pahunch chuke hain...

so let's move....


ye bol chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS aage badhe aur jis tarah hume khada kiya gaya tha,ussi formation me hum bhi unke piche ho liye...



BATTLE GROUND.......


YES MAHI....any problem???


PHASE 1 block cross karke PHASE 2 block se nikalte hue hum PHASE 3 block ke beech bane ek bohot bade ground ke baahar khade the......

ye ground darasal ek bohot hi bada stadium tha,jisme alag alag entrace the aur unhi entrance me se ek ke baahar the hum sab is waqt...

yahan pahunch OPHILIA WHIZZ kuch kehne hi waali thi ki tabhi MAHI ne apna haath upar kiya...

wahin WHIZZ ke kehte hi....


MAHI- WHIZZ, PHASE 1,PHASE 2 ke end me do bade bade gigantic bells lage hue the...wo kis liye hain...???


aate waqt MAHI ne un do bade bells ko dekh liya tha but kyunki aaj tak wo bell kisi bhi reason se baje nahi the, isiliye uske man me ye sawal aaya tha jo usne puch liya...


OPHILIA-wo bells is INSTITUTION ke danger alarms hain...ek invisible information force se jude hain wo bells..

waise do nahi kul teen bells hain..third PHASE ka bell is block ke aakhri chhor me hain...

agar kabhi kisi PHASE me kuch anhoni hui,toh us PHASE ka bell baj uththa hai...

par har PHASE ka bell sirf wahan ke incharges,matlab us PHASE ke liye appoint kiye gaye WHIZZES aur WHIZZDERS se hi juda hota hai,aur isiliye sirf unhi WHIZZES aur WHIZZDERS ko un bells ki awaaz sunayi deti hai jis PHASE me kuch bohot galat hua hota hai....


OPHILIA WHIZZ ki bat sun ek baar fir sabhi SAVENTS hairan hue...kya kya chizen possible ho sakti hai magic se,ye ab dheere dheere un sabko samajh me aa raha tha...


wahin OPHILIA WHIZZ apni baat aage badhane hi waali thi ki....


WELL,LOOK WHO'S HERE...!!!!!THE WISE FOURGIES....


ek awaaz aayi stadium ke entrance ki taraf se jisse sun WHIZZES aur WHIZZDERS palte aur saath hi hum sabki nazar bhi us taraf gayi toh humne dekha ki 3 log humari hi taraf aa rahe the...

jinme se 2 male the aur ek female aur jo baat abhi kahi gayi thi,wo us female ne kahi thi jo muskurate hue hamare paas aayi aur apne waist par apne dono haath rakh khadi ho gayi...

wahin uske saath jo do males aaye the,wo aage badhe aur baari baari hamare chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS se gale mil unhe greet kiya...

gale milne ke baad...


VIOLET-kaisi ho MABBA.....???


apne waist par haath rakh khadi lady se VIOLET WHIZZ ne ye kaha jisse sun...???


MABBA-taklifen zameen ko hoti hain..aasman toh hamesha mast hi rehta hai....


MABBA ki baat sun uske saath aaye dono bando ne apne sir ko shake kiya aur VIOLET WHIZZ bas muskura di wahin hamare baaki ke teeno WHIZZ aur WHIZZDERS normally hi khade rahe aur wo shayad isiliye kyunki wo jaante the ki MABBA aisi hi hai...

a troubling bitch.....


VIOLET-SAVENTS....apne next PHASE ke teeno WHIZZ aur WHIZZDERS se miliye...

SAPIUS,REGIS aur ye hain MABBA.....


VIOLET WHIZZ ne un teeno ki taraf ek ek kar point karte hue hume unke naam bataye...


SAVENTS-GOOD MORNING WHIZZ...GOOD MORNING WHIZZDERS......

SAPIUS/REGIS-GOOD MORNING SAVENTS....toh aap hain hamare agle batch...its really nice to meet you all...


SAPIUS aur REGIS, dono hi hamare WHIZZES aur WHIZZDERS ki tarah kaafi milansaar the,aur ussi tarah unhone sabhi SAVENTS se baat ki.....


MABBA- aapme se MAHI kaun hain....???


SAPIUS aur REGIS ki baat khatm hote hi MABBA ne ye sawal kiya jiske baad VIOLET WHIZZ ne MAHI ko aage aane ke liye kaha...

aur MAHI ke aage aate hi MABBA uske saamne khadi hui aur uske kandhe par apna ek haath rakh diya..


MABBA-khushi sirf deserving logon se milkar honi chahiye thik waise jaise mujhe tumse milkar ho rahi hai...

ummid karti hun ki jo galti dusron ne ki,wo tum nahi karogi...bas ek baat yaad rakhna, acchayi,burayi sirf shabd hain aur kuch nahi..

important hai TAAKAT...SHAKTI...jiske paas ye hai,wahi accha hai aur sirf wahi saccha hai...


aadhi baat VIOLET WHIZZ ki taraf aur aadhi baat MAHI ko dekhte hue unhone kahi thi...

wahin unki baat MAHI ko sahi toh nahi lagi par kyunki MABBA uski next PHASE ki WHIZZ thi,isiliye wo chup hi rahi...

wahin apni baat kehne ke baad....


MABBA-chalo...tumhe aaj humare PHASE ke best SAVENTS ke saath baithna hai...

MAHI ko pakde pakde unhone ye kaha aur usse apne saath lejaane ke liye mudne hi waali thi ki....


VIOLET- ek second MABBA... MAHI ke saath saath MABEL aur ALFREEN ne bhi tumhare STELLARS group me baithne ke liye qualify kiya hai.. unhe bhi saath le jaao...


apni baat keh WHIZZ ne MABEL aur ALFREEN ko jaane ka ishara kiya jiske baad wo dono bhi MABBA ke paas jaakar khade ho gaye...


MABBA-impressive....jo baat maine MAHI se kahi,wahi tum dono ke liye bhi hai...baakiyon se aage ho tum teeno,par agar future me bhi aisa hi chahte ho toh sirf POWER par focus rakhna...

uske shroth par nahi.....


ye bol teeno ko lekar MABBA aage badh gayi wahin unke jaane ke baad SAPIUS aur REGIS kuch der tak hamare chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS se baat kar ek taraf chal diye...

OPHILIA- mere piche aayiye SAVENTS...


ye bol OPHILIA WHIZZ ek taraf ko aage badhi aur unke piche sabhi SAVENTS ho liye...


OMMIN- ACCHUTA, SLUNDER, BROWNY, RAAZ...aap chaaron mere piche aayiye...


OMMIN ke aisa kehte hi hum chaaron unke piche ho liye..

ye teeno toh behad sad dikh rahe the par mai hamesha ki tarah normal tha...

aage badhte hue hum ek jagah pahunche jahan pahunchte hi ACCHUTA, SLUNDER aur BROWNY ka face aur sukh gaya..

reason...

hum stadium ke ek entrance gate par khade the jiske baahar UNDERSERVING likha tha...

ab mooh sukhao ya bhale hi ro lo,jaana toh yahin par tha aur isiliye ek ek kar hum us entrance se hote hue andar chale gaye...

andar pahunch humne dekha ki pura stadium audience se bhara hua tha...ye audience aur koi nahi balki purane passed out SAVENTS aur unki families the...

sabhi audience zoron shoron se awaazein nikal rahe the,gaane ga rahe the jisse mahoul kaafi sahi lag raha tha...

kaafi saare blocks bane the stadium me aur har block ke side me wahan baithe logon ke liye food aur beverages ka intazam kiya gaya tha...

par jahan hum chaaron the,wo jagah pure stadium se alag thi....

baithne le liye seats toh the nahi par saath hi behad garmi aur humidity bhi thi yahan....

floor pura ganda tha...aur ek ajeeb si badbu bhi aa rahi thi,jo ki saalon se safayi naa karne par aati hai...

hume wahan chhod OMMIN WHIZZDER jaa chuke the...mai ek jagah chup chaap khada ho gaya tha...


ACCHUTA-ga**d maarne aur marwane ke liye badhiya jagah hai ye bhai....

SLUNDER- tu chup rahega..yaar kitni garmi hai yahan....pure din bina khaaye aur bina piye kaise rahenge hum yahan....???

ACCHUTA-mooth piyega...waise lag toh nahi raha hai,par teri dosti ki khaatir mai koshish karta hun nikaalne ki...

tu bas niche mooh khol kar baith jaa....


issi tarah SLUNDER aur ACCHUTA hamesha ki tarah apni bakwas karne me lag gaye wahin mai aur BROWNY chup chaap khade the...



PHASE 2 STAND:-


WOW.....AMAZING....BAAHAR SE PATA HI NAHI CHAL RAHA THA KI ANDAR KA NAZARA AISA HOGA....


MAHI ne excitement me ye baat kahi thi jisse stadium ke shor ki wajah se MABEL aur ALFREEN aadhi hi sun paayi thi.....

MABBA in teeno ko yahan second PHASE ke STELLARS group ke beech laayi thi aur fir group ke sabhi SAVENTS se unka intro karwaya tha...

sabhi in teeno ko dekhkar kaafi khush the siway do logon ke...

ANWIR aur MORANA...

dono hi ghusse se in teeno ko dekh rahe the,khaaskar MAHI ko....

khair,intro ke baad teeno apni apni seats par baith gayi...har taraf nazaren ghumate hue MAHI ki nazar ek jagah rooki aur...


MAHI-wo dekh AL,uncle aunty....


MAHI ki baat sun ALFREEN ki nazar stadium ke dusre bhaag me gayi jahan par stand ke upar PARENTS likha hua tha...

unke stand ke pure ulat side tha wo stand jahan is waqt baaki current aur ex SAVENTS ke parents baithe hue the....

wo stand kaafi door tha but MAHI, MABEL aur ALFREEN clearly wahan baithe FLORIN aur MARIA ko dekh paa rahe the aur iski wajah thi un teeno ki SOUL...

apne SOUL ko AMPLIFY kar lene ki wajah se ab unki drishti bhi pehle se 10 guna tak tez ho gayi thi...

apne mom dad ko baaki parents ke saath milkar hooting karta dekh ALFREEN ke chehre par smile aa gayi...

par ye smile kuch seconds ki hi thi kyunki apne mom dad ko dekhne ke baad uski nazar thodi aur aage gayi jahan stadium ka last stand bana hua tha aur wahan is waqt RAAZ ek jagah tik kar khada tha....

RAAZ ko apne mom dad ke stand ke paas dekh ALFREEN ke man me ek ajeeb se dar ne ghar kar liya tha....

par tabhi.....


MABEL-arre wahan side me kya dekh rahi hai...???saamne dekh....


ALFREEN ke kandhe se hilate hue MABEL ne ye kaha aur jab ALFREEN ne saamne dekha toh...


SWINNNNNNN........


maidan ke ek taraf KAALE aur BHURE rang ke gaadhe colour se bane dhuen ko neeche chhodte hue ek saath das aakriti upar hawa me uththe chale gaye aur ek point par aakar ruk gaye....

unke upar hawa me rookte hi unse just upar bade bade KAALE aksharon me kuch akshar ubharne lage aur jab un aksharon ne khudko likhna pura kiya toh....

....WICKEDS......


is naam ki dhwani se aadhe se zyada stadium goonj utha...yahi likha tha un aakritiyon ke upar aur aisa hone ke baad un aakritiyon me bhi badlaaw aane laga aur dekhte hi dekhte wo 10 aakritiyon human forms me badal gayi....

complete black stretchable outfit pehne ye 10 PHASE 3 ke pehle group WICKEDS ke SAVENTS the jo hawa me uthe hue sabhi audience ko haath hilate hue abhivaadan de rahe the.....

sab unhe dekh hi rahe the ki tabhi.....

maidan ke dusre chhor me kuch same nazara banane laga...

maidan ke us dusri taraf WHITE aur PINK rang ke gaadhe colour se bane dhuen ko neeche chhodte hue ek saath das aakriti upar hawa me uththe chale gaye aur WICKEDS ki point par aakar ruk gaye....

unke upar hawa me rookte hi unse just upar bade bade WHITE aksharon me kuch akshar ubharne lage aur jab un aksharon ne khudko likhna pura kiya toh....


MORALS......


ab is naam se aadha stadium goonj utha...


yahi likha tha un aakritiyon ke upar aur aisa hone ke baad un aakritiyon me bhi badlaaw aane laga aur dekhte hi dehte wo 10 aakritiyon human forms me badal gayi....

complete white stretchable outfit pehne ye dus SAVENTS PHASE 3 ke MORALS the jo haath hawa me lehra sabhi ka abhivaadan kar rahe the....

wahin ye sab dekh MAHI, ALFREEN aur MABEL ka excitement level bhi kaafi badh gaya tha...

aakhon me attha utsah liye wo teeno is nazare ko dekh rahi thi...

kuch der tak WICKEDS aur MORALS ke naam ki gunj pure stadium me hoti rahi aur fir....


BOOM........

MORALS aur WICKEDS ke beech ek dhamaka sa hua aur us dhamake ke beech prakat hue MABBA aur VIOLET....

apne WHIZZ ko competition ke beech dekh MAHI, ALFREEN aur MABEL khushi se ucchal padi....

MABBA aur VIOLET is competition ki ARBITER (REFEREE) thi...

WICKEDS ke dress colour ki hi tarah ek black robe me thi MABBA wahin VIOLET MORALS ke dress colour ko match karte hue white robe pehna hua tha VIOLET WHIZZ ne....


MABBA/VIOLET-MORALS,WICKEDS...GATHER AROUND....


dono WHIZZ ke aisa kehte hi hawa me tairte hue WICKEDS aur MORALS unke dono side me aakar rook gaye...

dono hi teams ek dusre ko ghhuse de dekh rahe the...


MABBA-ummid karti hun ki aap dono hi teams fair play khelenge....

ZUNYATA AUR SATYATATI ke challange me aap sirf apne performance ko better karne me dhyan denge naaki dusri team ke performance me dakhal dene ki koshish karenge....

aisa karna foul play hai jisse aap disqualify ho jaayenge....

understood.....


MORALS/WICKEDS-yes WHIZZ...

VIOLET/MABBA-so let the show begin.....


apne haath ko failate hue dono WHIZZES ne ye baat kahi jiske baad....


PRATYARTHTHAYATI SAMOGAMA

CHALLENGE APPEAR..


SPELL bolte hi dono WHIZZES hawa me upar uthi aur ek nirdharit uchayi par pahunch rook gayi...

wahin unke spell bolne ke agle hi second stadium ka pura nazara hi badal gaya....

kuch der pehle jahan WICKEDS khade the,ab wahan aag ki ek diwal ban gayi jiski gravitational force itni zyada thi ki wo 10 WICKEDS uski taraf kheechane lage....

wahin dusri taraf jahan kuch der pehle MORALS khade the,wahan is waqt ek paani ki diwal ban chuki thi...

us paani me ek tez chakrawat aaya hua tha jiske gravitational pull ki wajah se MORALS uski taraf kheenchte chale jaa rahe the....

behatarin drishya tha jisse mantramugdh se hue sabhi audience dekh rahe the...



PARENT'S STAND:-


WO RAAZ HAI NAA....!!!!


FLORIN ne apni gardan me halki akdan mehsoos ki jiski wajah se usne apne sir ko daayen baayen jhatka diya aur issi dauran usse apne stand se kuch door ek bada par ujda sa stand dikha jiske ek chhor par khada hua tha RAAZ...

usse dekh FLORIN ne ye baat kahi jiske baad MARIA ki nazar bhi udhar ghumi aur....


MARIA-arre haan..ye toh RAAZ hi hai...


RAAZ ko is tarah ek ujdi si jagah me khada dekh FLORIN ko acha toh nahi lag raha tha but MAHI ne kal unhe bataya tha ki kaun sa SAVENT kahan baithega aur kyun usse wo jagah di gayi thi....

is situation ke liye wo kuch kar toh nahi sakte the but unhe RAAZ se baat karne ka man hua aur....


FLORIN-mai aata hun uske paas se...


ye bol FLORIN uthe aur baahar ki taraf chal pade...



PHASE 2 STAND:-



YE MOM AUR POPS KAHAN JAA RAHE HAIN...???


apne stand me baithi ALFREEN jo competition dekh rahi thi,wo bhi beech beech me apne mom dad ke stand ki taraf dekh leti thi aur is baar jab usne aisa kiya toh dekha ki uske dad RAAZ ki taraf dekh rahe the aur fir wo uthe aur baahar ki taraf chal pade aur unke piche MARIA bhi chal padi jisse dekh ALFREEN ko ek jhatka laga...

usse shak hua ki kahin uske mon dad RAAZ ke paas toh nahi jaa rahe aur ye khayal aate hi ek ajeeb si bechaini paida hui ALFREEN ke man me..

usne ek baar MAHI aur MABEL ki taraf dekha jo is waqt competition dekhne me khoye hue the...

wo chupchaap uthi aur apne stand se baahar nikal gayi is baat se anjaan ki wahan do log the jinhone usse baahar jaata dekh liya tha....



PARENT'S STAND:-


STOP FLORIN.....


FLORIN jo apne stand ke gate se baahar nikalne hi waale the,unhe piche se MARIA ne rookne ke liye kaha jisse sun wo rook gaye...


MARIA-mujhe nahi lagta ki tumhe RAAZ ke paas jaana chahiye....


MARIA ki baat par FLORIN kuch kehne hi waale the ki...


MARIA-i know ki tumhe uski chinta hai..aur itne din baad usse dekhne ki wajah se tum usse milna chahte ho, usse baat karna chahte ho but don't u think ki wo aisa nahi chahta hoga...

i mean,koi bhi usse kisi bhi matter par baat kare,ye RAAZ ko acha nahi lagta...

tum bhale hi usse kitni hi positive ya normal baat kyun naa karo,par wo usse negetive hi lega aur negetive hi bolega...

i think we should just leave him alone...jab tak usme logon ke lekar badlaaw nahi aata,hume bhi usse door hi rehna chahiye...

ye uske liye bhi acha hi hai kyunki usse akela rehna,kisise bhi baat naa karna acha lagta hai....


MARIA ki baat sahi thi..kuch der tak uski baaton par sochne ke baad...


FLORIN-i think u are right...usse space chahiye aur hume usse wo dena chahiye...


apni wife ko side se thaamte hue FLORIN wapas palte aur apne seat par jaakar baith gaye is baat se anjaan ke unke bas RAAZ ko milne ke khayal bhar se uth kar jaane ki wajah se ye...

PURI KAHANI BADALNE WAALI HAI.....






AAJ KE LIYE ITNA HI.....





AAPKA APNA V.J..
 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF SWEEP-STAKE COMPETITION SHURU HO CHUKA HAI WAHIN DUSRI TARAF APNE MOM DAD KO STAND SE JAATA DEKH ALFREEN BHI APNE STAND SE UNKI TARAF NIKAL JAATI HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-1


(UNFOLD THE RAAZ)



MEGA UPDATE-34



PLANET-EYLSIAN


PLACE-CHOSEN'S




SWEEP-STAKE:-



AGAR IS BAAT KO BHULA DIYA JAAYE KI HUM APNE GRAH PAR NAHI HAIN AUR YE EK MAGICAL COMPETITION NAHI HO RAHA TOH YAHAN KE MAHOUL SE FEELING PURI SOCCER WORLD CUP KE FINALE JAISI AA RAHI HAI NAA!!!

saamne ka adhbhudh nazara aur lagatar ho rahe hooting ko dekhte hue FLORIN ne ye baat kahi jisse sun...


MARIA- absolutely..vibe bhi waisi hi hai...

SORRY FOR INTERRUPTING,BUT KYA AAP USSI EARTH KI BAAT KAR RAHI HAIN JO MILKY WAY GALAXY ME BANE SOLAR SYSTEM KA EK MAATR LIVING PLANET HAI....


FLORIN aur MARIA ke thik peeche baithe ek noujawan shaksh ne unki baat sun jigyasa purn tarike se ye baat kahi jisse sun MARIA aur FLORIN piche palte aur...



FLORIN-jee haan,hum ussi planet se hain...

UNKNOWN-oh,wow..matlab finally....

us noujawan ka reaction un dono me se kisiko bhi samajh me nahi aaya aur isiliye...


FLORIN-matlab!!!hum samjhe nahi...???

UNKNOWN-actually CHOSENS ke 25 thousand years ke history me ab se pehle universe ke lagbhag sabhi planets se yahan padhne SAVENTS aa chuke hain siway EARTH ke jahan se aap aaye hain..

isiliye jaan kar acha laga ki EARTH me bhi GOD GIFTED SAVENT paida hua hai...

MARIA-oh accha..

FLORIN-waise kya aapka bhi koi relative yahan CHOSENS me padhta hai...!!!

UNKNOWN-jee nahi...mai khud yahan ka X SAVENT hun aur har PEACE MAKER ki tarah aaj yahan invite kiya gaya hun...

FLORIN-PEACE MAKER!!!!wo kya hota hai...????

UNKNOWN-lagta hai aap kisi fresher SAVENT ke dad hain???

FLORIN-haan,par tumhe kaise pata chala???

UNKNOWN-kyunki agar aap second ya final PHASE me moujud SAVENT ke parent hote toh aapko PEACE MAKER ka matlab pata hota...

waise chahun toh mai aapko is term ka matlab bata aur samjha sakta hun but filhal ye inappropriate hoga...

sahi yahi hoga ki sabki tarah aapko bhi saari chizen,unka kaaran aur unka mahatv aapke ward ke through PHASE 2 me pata chale....

us noujawan ki baat sun FLORIN aur MARIA ne samajhne waale andaz se apna sir hilaya...


PEACE MAKER-par haan,aapke grah aur yahan se realated ek baat mai aapko bata sakta hun jo kaafi interesting bhi hai aur kyunki aap dono first time aisa kuch sunenge,isiliye aapke liye shocking bhi hoga...

FLORIN-itna kuch dekh liya hai yahan aakar ki ab shock lagna thoda mushkil hai but fir bhi batayiye kya interesting baat hai jo yahan aur hamare EARTH se judi hui hai...

PEACE MAKER-darasal har living planet ek natural way se bana hai...matlab saare living planets GOD MADE hain but CHOSENS jahan hum is waqt moujud hain,ye ek artificial PLANET hai..

kehne ka matlab hai ki isse sirf is INSTITUTION ko dhyan me rakhkar apni shakti se banaya gaya hai....

aur jaante hain,aisa kisne kiya hai...???


us noujawan ke sawal par naa me gardan hilayi dono ne jiske baad..


FLORIN- aap mil chuke honge unse...yahan ke teeno SOVEREIGN'S ki shakti ke ek bohot bade bhaag se bana hai ye PLANET....


us noujawan ki baat sun FLORIN aur MARIA shocked ho gaye the...


PEACE MAKER-arre ye wo baat nahi hai jisse mai interesting aur aap logon ke liye shocking bata raha tha....

interesting baat ye hai ki kyunki ye PLANET artificial hai,isiliye universe ke baaki natural planets se iski timing different way me work karti hai...

har planet aur is planet ke beech ek time loop hai...aur saath hi dino ke hisaab se bhi ye PLANETS universe ke baaki planets se nano aur micro seconds piche yaa aage chalti hai...

nano aur micro seconds ka gap toh maamuli hai jisse planets ke beech 1 saal me 1 se 2 din ka hi difference paida hota hai par jo time loop is planet me aate hi create hota hai,wo bohot bada hota hai...

aur kyunki aap dono earth se hain,toh aapke planet aur CHOSENS ka time loop kuch zyada hi bada hai...

MARIA-zyada???kitna zyada....!!!

PEACE MAKER-aap logon ko yahan aaye kita waqt hua hai...???

FLORIN-6 months...actually abhi dopahar ke 12 baj rahe hain,is hisaab se to be exact hume yahan aaye 6 month aur 12 ghante hi chuke hain.....

kal raat 12 baje exact 6 months hue the...

PEACE MAKER-iska matlab hai ki aapko apne planet ko chhode 2 saal guzar chuke hain...

MARIA/FLORIN-what!!!!


ye toh sach me jhatka tha MARIA aur FLORIN ke liye....


PEACE MAKER-jee..EARTH aur CHOSENS ke beech ka time loop 18 mahine matlab dedh saal ka hai..

jis waqt aapne world door ko cross karte hue yahan CHOSENS me kadam rakha aur wo world door band hua tab aapka planet 18 months aage jaa chuka tha...

aur haan,nano aur micro seconds ke fark un 6 months ke hisaab se hi aage yaa piche hote hain,jis waqt par yahan log pahunchte hain...

aur issi waja se EARTH aur CHOSENS ke beech ke timing ko agar seconds ke hisab se calculate kiya jaaye toh aap kal nahi aaj raat ki date ke hisaab se CHOSENS pahunche the..

kyunki CHOSENS ke calander year me EARTH se difference pure 2 din ka hota hai aur 6 months ke hisaab se ek din jo aaj raat ko 12 baje pura hoga...


us PEACE MAKER ki baat se wakayi FLORIN aur MARIA hairan ho gaye the...

apni apni hairani liye dono hi wapas saamne palat gaye...

par jahan MARIA sirf is time loop ke ganit ke baare me hi soch rahi thi wahin FLORIN ke dimag me ek aur baat aayi jiske aate hi...


FLORIN- MARIA...time loop aur seconds ke badlaaw ki wajah se aaj raat 12 baje hume yahan aaye 2 saal ho jaayenge.. iska matlab samajhti ho...


MARIA ne aakhon me sawal liye FLORIN ko dekha jispar....


FLORIN-HUM RAAZ KE 16TH BIRTHDAY KI NIGHT YAHAN AAYE THE AUR AB TIME LOOP KE HISAAB SE AAJ RAAT 12 BAJE SE RAAZ KA 18TH BITHDAY HAI...




OUTSIDE STADIUM.........



MERE MOM DAD KAHAN HAIN RAAZ....????



stand me rukne ka man nahi hua toh mai STADIUM se baahar nikal thodi door ek ped se tik kar khada tha ki tabhi mere piche se ye awaaz aayi aur jab mai palta toh dekha ki ALFREEN behad hi ghusse me mujhe ghur rahi hai....

kuch seconds usse dekhne ke baad mai wapas palat gaya....


ALFREEN-maine pucha mere mom dad kahan hain RAAZ....


MAI-mar gaye.......


DHAPPPPP......


mere aisa kehte hi mere peeth par kuch bohot bhaari saa laga jiski wajah se mai aage ki taraf udta hua gira....


ye ek urja ray thi jo ALFREEN ke haathon se nikalkar mujhse takrayi thi...

is urja ray ki shakti itni zyada thi ki iske mere body ko chhute hi isne mere pure sharir ko hi khudki urja se dhak liya aur mujhe tez jhatke lagne lage..

jaise ek mirgi ka patient mirgi padne par chatpatata hai,thik waisa hi kuch is waqt mere saath ho raha tha....


WRITER-RAAZ ne jo kaha tha,wo bas hamesha ki tarah ALFREEN ko provoke karne ke liye kaha tha but uski baat ne ALFREEN ka wo ghussa jo wo bohot mushkil se daba rahi thi, trigger kar diya.

ab ALFREEN ek SOUL AMPLIFIED SAVENT thi aur RAAZ ki kahi gayi baat ne uske ussi soul ko trigger kiya tha jiski wajah se anjaane me hi sahi but uske brain,body,blood aur soul ne khudko bind kiya aur jo ray ALFREEN ke haathon se nikli thi,ye inhi chaaron AMPLIFICATION ki taakat thi jiska asar behad gehra pada tha RAAZ par....

wahin anjaane me hi sahi but itni zyada power ek saath release karne ki wajah se ALFREEN ke upar bhi thakan haawi hi gayi thi....

par ghussa abhi bhi ALFREEN ke chehre par dikh raha tha....aur isiliye wo fir se RAAZ par attack karne waali hi thi ki....


OYE PAAGAL HO GAYI HAI KYA???CLASS ME SABSE AAGE HAI TOH KYA KUCH BHI KAREGI TU.....?????


uske baaju se RAAZ ki taraf tezi se badhte hue ACCHUTA ne ye baat kahi thi..uske saath SLUNDER bhi tha....

RAAZ jo ab bhi halka halka chatpata raha tha,uske paas pahunch ACCHUTA aur SLUNDER ne uske dono haathon ko rub karna shuru kar diya....


ALFREEN-chup chaap niklo yahan se warna tumhara haal bhi bura kar dungi mai...

ACCHUTA-haan tere baap ka raaj chal raha hai naa yahan....


ACCHUTA ki baat sun ALFREEN kuch kehne hi waali thi ki....


SLUNDER-tumne bewajah RAAZ par waar kiya hai..humne tumhari baat suni thi..tumhare mom dad wahin apne stand par hi hain...

yahan aane se pehle humne unhe wahan dekha tha....

ALFREEN-ye jhuth hai..maine khud unhe apne stand se baahar jaate hue dekha tha..

ACCHUTA-oye hum tere hired personal watchman nahi hain ki minutes ke hisaab se kaun kab kahan kahan gaya,uska hisaab bhi den aur tujhe yakin bhi dilayen...

tere maa baap wahin stand me jaa..jaakar khud dekh le....


ACCHUTA ki baat sun usse, SLUNDER ko aur fir RAAZ ko ghurti hui palat kar nikal gayi ALFREEN....



WAHAN SE KUCH DOOR:-




AB AAYEGA MAZA...MAHI KI JAGAH USKI SAHELI HI SAHI....


ye kaha tha ANWIR ne MORANA se...yahi the wo do log jo ALFREEN ko apne stand ae baahar nikalte hue dekh rahe the aur uske piche ho liye the....

waise toh wo dono MAHI ko unke khilaaf bolne ke liye punish karna chahte the,but ab ALFREEN jo ki MAHI ki bestie thi,usse yun akela dekh unhe usse sabak sikha uske through MAHI ko message dene ki sochi...

par unhe samajh nahi aa raha tha ki wo kaise ALFREEN ko punish karen par ab shayad ALFREEN ne khud unhe idea de diya tha....


MORANA-mujhe pata hai ki tum kya soch rahe ho ANWIR and i like it...


MORANA ki baat par ANWIR muskuraya aur....


ANWIR-tumhe sirf samajhna hi nahi,karna bhi hai....


ANWIR ki baat sun MORANA bhi muskurayi aur uske agle hi pal....


KAPTAVESA.....

DISGUISE ACCORDING THE IMAGE


aankhon ke aage ALFREEN ke image ko rakh MORANA ke mooh se ye spell uccharit hua jiske agle hi pal....

MORANA ALFREEN me badal chuki thi.....

disguise change karna, roop badalna ek seven percent plus SOUL AMPLIFICATION holder hi kar sakta hai..

aur kyunki MORANA aur ANWIR abhi 10 percent par hain toh isiliye ye karna inke baayen haath ka khel jaisa hai...


ANWIR-now that's my girl...ab jaao,aur haan,josh me aakar un dono par zyada waar mat kar dena...

aakhir wahi dono toh eyewitness hain....


ANWIR ki baat par sir ko haan me hila MORANA aage badh gayi....

toh plan inka ye hai ki RAAZ jiski haalat abhi behad hi kharab hai,usse MORANA jo filhal ALFREEN hai,uspar aur waar karegi....

par sirf itna ki RAAZ mare nahi,par haan marne jaisi haalat me pahunch jaaye..

aisa nahi hai ki MORANA ya fir ANWIR ko hi RAAZ ya kisi aur ki jaan lena galat lagta hai,but isiliye kyunki wo dono jaante hain ki agar RAAZ pe shaktishaali prahaar hua aur wo mar gaya toh first PHASE ka alarm bell baj jaayega jo naa sirf us PHASE ke WHIZZES aur WHIZZDERS ko iske baare me suchit karega balki apni Shakti se gunahgaar ko bhi beparda kar dega....

par agar RAAZ par ek do maamuli waar hue toh aisa kuch nahi hoga...

sirf uski haalat bigdegi aur ACCHUTA aur SLUNDER ke through jo ki eyewitness honge, ALFREEN ko behad kadi punishment milegi...

pura CHOSEN'S is waqt STADIUM ke andar tha jo ki ANWIR aur MORANA ke liye plus point tha...

aage badhte hue MORANA wahin jaakar khadi ho gayi jahan kuch der pehle ALFREEN khadi thi aur....


MORANA-nahi hai mere mom dad apne stand par...


ALFREEN ka roop dhar ussiki awaaz aur andaz me chilla kar boli MORANA...


wahin ACCHUTA aur SLUNDER jo RAAZ ko sahara dekar khada kar rahe the,wo ye awaaz sun palate aur ek baar phir ALFREEN ko dekh chownke par unke chownke ka main reason tha wo current ray jo is waqt ALFREEN ke haathon me chingari sa ban chamak raha tha...


ACCHUTA-tu fir aa gayi...arre agar tere mom dad stand par nahi hain toh hum kya karen...???

jaa aur unhe dhund...baar baar yahan kyun aa jaati hai...???

MORANA-mujhe pata hai ki is RAAZ ne mere mom dad ke saath kuch toh kiya hai..


RAAZ chupchaap bata de ki kahan hain mere mom dad,warna acha nai hoga....


SLUNDER-dekho ALFREEN....hum sach keh rahe hain,humne tumhare mom dad ko unke stand par hi dekha tha aur RAAZ ko toh unke baare me kuch pata hi nahi hai....

MORANA-jhooth....aur tum dono se toh mai baat hi nahi kar rahi hun, RAAZ,bata mere mom dad kaha hain...

RAAZ-bataya toh tha...mar gaye wo dono..


apne nature ke according RAAZ ne baat kahi jisse sun ACCHUTA aur SLUNDER ne apna maatha peet liya par teer toh kamaan se nikal hi gaya tha....


ALFREEN urf MORANA ke haath se ek current ball nikla aur sidhe RAAZ par pada aur.......


ACCHUTA/SLUNDER-RAAAZZZZZ..........


ACCHUTA aur SLUNDER ki cheekh ke saath saath kuch aisa hua jo ANWIR aur MORANA ne apne sapne me bhi nahi socha tha.....

darasal jo current ball MORANA ne RAAZ ki taraf feki thi,uski energy kaafi kam thi par pata nahi kaise,us current ball ke lagte hi RAAZ ka body ekdum piche hawa me ud sa gaya....

RAAZ, ACCHUTA aur SLUNDER is waqt jis ped ke niche khade the,uske kuch piche ek pagdandi bani thi joki asal me ek sankara raasta tha CHOSENS se baahar jaane ka....

pedon ke ghane jhurmut the us pagdandi ke ird gird...

behad tezi se hawa me udta hua RAAZ ka body unhi pedon ke upar se hota hua piche ki taraf jaane laga jisse dekh MORANA aur ANWIR ke bhi hosh ur gaye...

kyunki jo hua,wo unke liye ek impossible chiz thi...

un dono ne hi dekha tha ki piche udta hua RAAZ ka sharir kisi bhi point par neeche aaya hi nahi tha..

wo toh bas udta hua piche ki taraf jaate hi jaa raha tha....

MORANA ko toh ye samajh me nahi aa raha tha ki itne mamuli current ball se jisse 5 feet bhi udte hue girna mushkil hai, jo hua wo kaise mumkin hai kyunki apne pure 10 percent ki SOUL shakti ko ek saath use karne ke baad hi shayad MORANA ye kar paati....

par jo hona tha wo ho chuka tha.. ANWIR aur MORANA dono ko hi lag gaya tha ki itne bade jhatke ke baad RAAZ nahi bach paayega aur isiliye...


ANWIR mind me- MORANA,turant niklo yahan se...


apne mind ko MORANA ke mind se jod ANWIR ne ye baat kahi jiske baad wo dono hi gayab ho gaye...

wahin jab ACHHUTA aur SLUNDER ne ALFREEN urf MORANA ko gayab hote dekha toh wo dono hi RAAZ jis taraf udta hua gaya tha,us taraf bhaagte hue nikal gaye.....

wahin in sabse alag mai ulta hawa me tairta hua sa ek disha ko badhta chala jaa raha tha....

kya hua,kyun hua,kaise hua,in sab baaton ko darkinaar kar maine apne haath faila diye aur is naye safar ke shuruat ki taraf badhne laga...

kuch 2 minute mai yunhi hawa me udta hua aage badhta raha aur fir dheere dheere mera sharir neeche utarne laga aur tabhi....


DHAPP.......


zamin par girte hi is awaaz ke saath me thoda aage fisalta hua ragdata raha mai...

ALFREEN ke pehle waar se mere sharir me ek alag hi jakdan si aa gayi thi aur ab jab mai yun niche gira toh us jakdan ne mujhe ek aur jhatka diya jisse ek pal ke liye meri aankhen badi hui aur fir dheere dheere band hone lagi par aankhon ke band hone se pehle maine apne saamne kuch chamakta hua sa dekha tha jisse dekh behosh hote hote mere mooh se behad dheemi awaaz me nikla...




THE FORBIDDEN FOREST.....





BACK TO SWEEPSTAKE



KAHAN GAYI THI TU....????


ALFREEN ke wapas aate hi MABEL ne ye sawal pucha jisse sun...


ALFREEN-washroom....

MABEL-oh... chal baith,dekh competition kaafi complex aur interesting hota jaa raha hai...


MABEL ki baat sun ALFREEN ne ek baar MAHI ki taraf dekha jo sabko bhul bina palke jhapkayen competition ko aise dekh rahi thi jaise wo spectator nahi balki khud participant ho....

MAHI ko dekh muskurate hue MAHI ne dusri taraf dekha jahan uske mom dad ka stand tha...

apne mom dad ko apni seat par baithe dekh ALFREEN ne chain ki saans li aur tabhi....


BOOMMM.....


ek tez dhamaka hua jo ki maidan ke beech hawa me hua tha...reason....


WICKEDS ki taraf jo aag ki diwal bani thi,usse nikalte gurutwakarshan force ki wajah se aa rahe khichaaw se bachne ke liye WICKEDS ki team ne khudko ek human chain ka roop de diya tha...

WICKEDS ke sabhi SAVENTS ek adrishya rope ke sahare ek dusre se bandhe khudko us gravitational pull me khinchane se rok rahe the aur issi beech jo is chain ke sabse aage khada tha,us SAVENT ne us aag ke diwal par dhamaka kiya taaki gravitational pull ka asar kuch kam ho jaaye aur issi wajah se ye awaaz nikla tha...

sabhi is drishya ko taktaki lagaye dekh hi rahe the ki tabhi.....


CSHHHHHCSHHHHHHHH......


ek ajeeb si awaaz ne sabka dhyan apni taraf kheencha...

ye awaaz aaya tha us paani ke diwal se...

reason....

jahan WICKEDS ki team human chain ka roop le problem ko tackle kar rahi thi wahin dusri taraf MORALS ki team ne alag yukti nikali thi...

wo 10 SAVENTS 5,5 ka group bana us paani ke diwal ke dono taraf khade ho gaye the...

har group ka ek SAVENT apne opposite khade SAVENT se ek adrishya rope ke sahare juda tha...

har SAVENT apni taraf se us paani ke bane chakrawat ke uphaan ke upar jisse gurutwakarshan force generate ho raha tha, uspar energy balls phenk raha tha taaki paani ke uphaan se nikalne waale force ki taakat kuch kam ho aur gravitational pull dheela pade...

sabhi spectators me saath MAHI, MABEL aur ab ALFREEN bhi pure focus aur interest ke saath ye sab dekh rahi thi is baat se bekhabar ki thodi der pehle uski lagayi chingari ne ab aag ka roop le liya hai aur kuch hi der baad wo aag us jwalamukhi me badal jaayegi jisse is kahani se jude har kirdar ki bhumika ko maayne mil jaayenge....




BACK TO RAAZ:-



RAAZZZZZ..........RAAZZZZZ........



ye do alag awaazen thi jo mujhe pukarte hue mere kareeb aa rahi thi....

jaise jaise ye awaaz aur iske maalik mere karib aa rahe the,waise waise mai apni behoshi se baahar aa raha tha....

aankh khulte hi maine gardan upar kar saamne dekha toh....


ABBE SAALE TU ITNI DOOR AAKAR GIRA HAI....


ye ACCHUTA tha jo mere sir par khada mujhse sawal kar raha tha...


SLUNDER-abbe sawal karna chhod aur usse utha...


SLUNDER ke aisa ACCHUTA mujhe uthane laga...uske saath mere dusre taraf se SLUNDER bhi mujhe sahara dekar uthane laga...

ALFREEN ke chhode pehle ray ki wajah se sir se lekar pair tak mujhe abhi bhi akdan mehsoos ho rahi thi aur jis wajah se mujhe halki kamzori bhi aa gayi thi..

ACCHUTA aur SLUNDER dono ne mujhe mere dono kandho se pakde pakde sahara diya..

mai un dono ke sahare khada tha....

ek ek taraf se mujhe halka halka gale lagaye...


ACCHUTA-bhai tune toh dara hi diya tha....

SLUNDER-haan yaar..hume laga ki tu nahi bacha hoga....

ACCHUTA-haan bhai,agar tujhe kuch ho jaata naa,toh hum us ALFREEN ko jaan se maar dete...

SLUNDER-aur nahi toh kya....itne din hum isiliye toh saath nahi rahe ki ye sab hota dekhen...

tujhe sirf............


............HUM MAARENGE...........

KHACCHHHHH.....

KHACCHHHHHH.......

AAKKKKK.......

DHAAPPP.....


apni baat bolte bolte SLUNDER aur ACCHUTA,dono ne mere pet me kuch ghussa diya jisse mere mooh se ek kism ki dakaar nikal gayi...

mere pet me kuch ghussa dono ne mujhe dhakka dete hue piche phek diya....

mere pet me kuch bhi nahi dikh raha tha but fir bhi mujhe aisa lag raha tha ki koi nukili chhurre jaisi chiz mere pet ke pure andar tak dhansi hui hai.....

zamin par girte hi mujhe halke halke jhatke lagne lage aur mai ussi haalat me saamne ACCHUTA aur SLUNDER ki taraf dekhne laga par ye kya......!!!!!

is waqt SLUNDER aur ACCHUTA, dono ke chaaron taraf ek black aura banane laga jisne un dono ko hi pura dhak diya par fir dekhte hi dekhte wo aura chhatne laga aur aisa hote hi mere saamne do log khade the...

par ye ACCHUTA aur SLUNDER nahi the...jahan ACCHUTA aur SLUNDER patle duble sadharan se dikhne waale ladke the,wahin ye dono jo is waqt mere saamne halke hawa me uthkar khade the,behad hi handsome aur lambe chowde the...

ek alag hi aakarshan tha un dono me..paini nazar,lamba aur perfect jaw line se nirmit chehra aur behad confident ATTITUDE....

kaala robe unke vyaktiv ko aur nikhar raha tha....


JAB SHAKTI HI MANZIL HAI,
TOH RAASTE SE KYUN ACHRAJ HAI...

PAAP PUNYA SAB JHUTE HAIN,
SHAKTI HI EK MAATRA SACH HAI....


un dono ne hi ek saath ye baat yaa fir ye kahun ki ye phrase bola tha....


muskurate hue apni gehri aankhon se wo dono mujhe dekh rahe the aur mujhe apni taraf ghurta dekh...


FIRST-jaanta hun bohot se sawal hai tere..waise bhi tu marne waala hai, isiliye tujhe sab bata kar hi rukhsat karenge...

pehle introduction ho jaaye...

bande ko GASTON kehte hain.....

SECOND-aur mai DORIAN hun.....


naam toh yaad hoga aapko in dono ka....GASTON aur DORIAN...

CHOSENS ke itihaas ke sabse kaamiyab SAVENTS.....

wo do log jinhe dhundne ke liye
AKSHAANT aur SHAILA nikle the par wo unhe mile nahi..

milte bhi kaise,jinhe wo baahar dhund rahe the,wo toh unke ghar ke andar baithe hue the..


GASTON-yaar,teri sabse gazab baat yahi hai...tere expressions kabhi nahi badalte....

DORIAN-abbe waqt nahi hai uske paas... jaldi baat khatm kar,hume jaana bhi hai.. humare aura se hume yahan sense kiya jaa sakta hai....

KRRRR.......

apna haath aage kiya GASTON ne aur uske aisa karte hi uske haath se ek strong ray nikal aage badhi aur sidhe jaakar FORBIDDEN FOREST ke entrance me lage shield se takrayi aur khatm ho gayi...


GASTON-ye dekh raha hai...ye ek shield hai jo pure FORBIDDEN FOREST ke chaaron taraf bichi hui hai..

hamare yahan hone ka kaaran bas yahi jagah hai...is FOREST me kuch hai jo hume chahiye aur us chiz ko paane ke liye humne kya kuch nahi kiya but sab bekaar ho gaya...

wo kahani yaad hi hogi jo humne tujhe sunayi thi...

arre wahi SLUNDER aur ACCHUTA waali jinka humne bhes liya hua tha..wo kahani mangadhan nahi thi,sacchi thi bas humne tujhe adhuri baat batayi thi....

SLUNDER aur ACCHUTA ke maa baap ko MIRTHJEEVEN ki haalat me pahunchane ke baad wahi chiz humne SLUNDER aur ACCHUTA ke saath bhi ki thi...

hume un dono ke grah se kuch chahiye tha jiske liye aisa karna zaroori tha par dono raaj gharano ke sabhi sadasyo ke jeeven kan nikalne ke baad bhi jab hume WO chiz nahi mili toh humne ek nahi yukti sochi...

humne socha ki jinki shakti se ye FORBIDDEN FOREST bana hai,zaroor unke bheeter kuch na kuch aisa upay chhupa hoga jisse hum is jagah ke shield ko hata sakenge...

hume ye bhi maalum tha ki ACCHUTA aur SLUNDER dono ka hi chayan yahan CHOSENS ke liye ho gaya hai...

aur isse hamare plan ko execute karna aur aasan ho gaya...

humne un dono ka roop lene ki sochi par ye itna asaan nahi tha....

hume maalum tha ki is INSTITUTION ke SOUL AMPLIFICATION ke dhaarak hamare chhal ko pehchaan lenge..

aur khaas karke wo teeno SOVEREIGN'S....unse bachna asambhav tha...

par jahan mushkile hoti hain,wahan unse nikalne ka marg bhi hota hai...

aur hamari mushkil se nikalne ka maarg tha ACCHUTA aur SLUNDER ke jeevan kan jo humne unse nikal liye the...

humne un dono ke jeeven kano ka khud me samavesh kiya..

aur fir humne apne jeeven kano ko bramhand ke ek durgam maarg me bhej diya..ek aise maarg me jo CHOSENS se juda hua hai taaki jab bhi hum chaahen,hamare jeeven kan hum tak pahunch paayen...

(ye wahi jeeven kan hain doston jinhe GASTON aur DORIAN samajh SHAILA aur AKSHAANT dhundne jaate the par unhe kuch milta nahi tha..)


GASTON-aur humne bas apni Shakti ka ek pratishat apne andar rakha par kyunki hamare andar ACCHUTA aur SLUNDER ke jeeven kan the,isiliye hamari us ek pratishat shakti ke baare me pata lagana lagbhag naamukin tha....

par koi tha,jiske liye humari shakti ko sense karna asambhav nahi tha..

VIOLET....


VIOLET bhale hi first PHASE me padhati thi par uski capabilities 2nd PHASE WHIZZ ke jitni hai. .

aur kyunki 1st PHASE me hone ki wajah se hum ussike under the isiliye AMPLIFICATION process ke waqt VIOLET ko humpar shak ho gaya tha...jahan sabko hum yahan ek weakling SAVENT nazar aa rahe the,wahin VIOLET ko humara AURA feel hone laga tha...

usne ye baat baaki teeno WHIZZ aur WHIZZDERS ko batayi par jab unhone is shak ko nakara toh usne shakti sense karne ka spell un teeno par kar diya jisse un teeno ke zariye bina saamne aaye bhi wo humari shaktiyon ko sense kar sake...


(SELF BRAWL AUR ACCHUTA,SLUNDER KO MOTIVATE KARTE WAQT VIOLET BAAKI TEENO SE YAHI BAAT KAR RAHI THI)


GASTON-par humne usse aisa mouka hi nahi diya..wo ya aur koi bhale hi humare saamne ho yaa naa ho, hum ACCHUTA aur SLUNDER ke character me bane rahe jisse dheere dheere uska shak bhi jaata raha...

in sabke beech hum lagatar SOVEREIGN'S par nazar banaye rakhe hue the par kuch waqt baad wo teeno hi gayab ho gaye...

humne kuch dino tak unki waapsi ki raah dekhi par jab wo nahi aaye toh humne yahan se jaane ki sochi par hum ye nahi kar sakte the kyunki SOVEREIGN'S ke jaane ke baad us MARILIZA ne CHOSENS ke SENSE SHIELD ke upar ek STOP SHIELD laga di jiske kaaran CHOSENS se naa toh koi baahar jaa sakta tha aur naahi koi andar aa sakta tha..

waise humare liye us STOP SHIELD ko todna koi badi baat nahi thi par aisa karne se humne jo bhi kiya tha,aur jis kaaran se kiya tha,wo ujagar ho jaata aur hum ye hone nahi de sakte the...

aur isiliye hum aaj ke din ki pratiksha karne lage... kyunki aaj SWEEP-STAKE hai, isiliye hume maalum tha ki pure bramhaand se is CHOSENS me padhe SAVENTS aur unke parents zaroor aayenge aur aisa hone dene ke liye MARILIZA us STOP SHIELD ko aaj ke liye hata degi jisse hum asaani se nikal jaayenge....

as simple as that...

ye toh hui hamari kahani par jaanta hai isme tu kahan se aaya???

kisi bhi SAVENT ko maarna toh door chhedne ka bhi hamara koi prayojan nahi tha...

agar aisa hota toh us raat jab MAHI ne humari Shakti ke bhaag ko dekh liya tha,hum usse ussi waqt maar dete...(UPDATE 29,KAALI CHAADAR)

par hume pata tha ki raat ke andhere me dikhi koi cheez ko adhar bana wo kuch saabit nahi kar paayegi,isiliye humne usse kuch nahi kiya...

khair,is bramhaand ke har kism ke maanav aur jeev se hum mil chuke hain,kisi me positive aura hota hai toh kisime negetive, par tere jaisa AURA humne kahin feel nahi kiya...

jab humne tujhe pehli baar karib se dekha tha,toh hume apne andar ek ghutan si mehsoos hui..

ek aisi ghutan jisse bardasht karna bohot mushkil tha kintu humare plan ki wajah se humare paas koi option nahi tha...

hum tujhe ussi waqt mout dena chahte the par hum wo bhi nahi kar sakte the...

kar sakte the toh bas intazar,yahan se nikalne ka aur jaate jaate tujhe maarne ka....

aur dekh kismat se ye dono hi kaam aaj hi ho gaya...

jab ALFREEN ne tujhe maara toh humne socha ki uske jaane ke baad tujhe behosh kar yahan le aayenge aur tujhe maar denge kyunki yahan bichi shield ki wajah se alarm bell kaafi der se teri mout sense karega aur tab tak hum yahan se jaa chuke honge...

par hum tujhe behosh karen,usse pehle hi ek dusri SAVENT aayi jisne ALFREEN ka roop dhar tujhpar attack kiya...

aur jab wo current ball tujhe lagne waala tha toh maine apni shakti se tujhe piche udda tujhe yahan pahuncha diya....


AKKKK.......


lagatar halka halka kampan kar taha tha mai....aur tabhi ek dakaar sa nikla mere mooh se jisse sun muskura diya GASTON....


GASTON- VADIN......


hamara banaya ek khaas astra hai ye jo is waqt tere andar ghussa hua hai...

iske pravesh se sharir par koi cut yaa ghaav nahi hota....par agar ye kisike sharir me ghus jaaye toh iski nok se ek urja nikalti hai jisse sharir ke andar ke har koshika me khichaav aana shuru ho jaata hai aur dheere dheere us manushya ka sharir andar se pura sadh bhi jaata hai aur khokla bhi ho jaata hai...

a very very painful way to die ...


HAHAHAHAHAHAHAHA........


apni baat bol zoron se has pada GASTON wahin uske baaju me khada DORIAN is pure dauran bas mujhe ghure jaa raha tha...

wahin dakaar lene ke baad bhi ab tak meri aankhen halki hi sahi par khuli hui thi jisse dekh

(update-1)


GASTON-hai toh tu ek mamuli mortal,par maanana padega,jaan fir bhi sakht hai...

arre...ye kya kar raha hai.......????


chingari dikhne lagi thi DORIAN ke hatheliyon me,jisse dekh haste hue GASTON ne pucha.....


GASTON-agar aur prahar karna hota toh kya mai ab tak yunhi baaton me waqt gawata....

iske jism se iske rooh ko alag karne ke liye jo waar hume karna tha,hum kar chuke hain...

agar ispe ek bhi waar aur hua toh iske tadapte shareer ko shanti mil jaayegi....

aur pata nahi kyun,ye mai nahi hone dena chahta....isse yun ek kide ki tarah bebas laachar tadapte hue dekhkar bada anand aa raha hai....

yunhi tadapte tadapte dheere dheere marne de isse....iske chehre par umadta ye dard,meri jalti hui kaali rooh par thande paani ka kaam kar rahi hai.......

DORIAN-tumhara bas chale toh tum isse har roz maaro....

GASTON-wajah toh maalum hi hai tumhe...hai toh ye nashwar...maamuli mortal...par pata nahi kyun,iski moujudgi ek ghutan paida karti hai mere andar....

ek chingari naachne lagi GASTON ki aankhon me...

mai unke saamne pada mar raha tha,mera sharir reh reh kar jhatke khaa raha tha,par ab bhi unki aankhon me mere liye wahi ghrina thi,wahi krodh jisse lagatar apne andar zabt karte aaye the wo dono...

wahin neeche zamin par kisi kide ki tarah pada mai unke chehre ko ektak dekh raha tha...

marnasthal par pahunchkar bhi mere aankhon ka sunapan jyon ke tyon tha....

mere chehre par dard saaf jhalak raha tha fir bhi mai bhaav shunya tha...

naa moh na maaya,naa koi khwahish...khush hone waali paristithi toh thi nahi par koi gum tak naa tha mere chehre par....

par haan,ek sawal zaroor uth raha tha mere zehen me..ye wahi sawal tha jo mere zehen me tab se uthta aa raha tha jabse SOCH shabd ka matlab samajh aaya tha mujhe...

aakhir kaun hun mai....????kyun alag hun mai sabse....?????waise toh sabki apni soch hoti hai par kuch baatein toh sabme common hi hoti hai....

par ye khubi bhi mujhme naa thi....khushi aur gum,in dono ehsaason se hi mai aaj tak mehroom tha....

aur ab toh zindagi hi apne aakhri mukam par hai.......apne saare sawaalon ko khudme sametkar ankhen band kar li maine aur tabhi.....


GASTON-tere paida hote waqt tujhe kisi ne tujhe company di ya nahi ye toh hum nahi jaante par haan,marte waqt tujhe saath zaroor milega...

ye bol DORIAN aur GASTON ke haath se do roshni nikal mere left side par padi aur dekhte hi dekhte us roshni ke andar se do log prakat hue...

ACCHUTA aur SLUNDER..par ye asli the aur mere baaju me behosh pade the....

mai jaanta tha ki DORIAN aur GASTON ne ye kyun kiya tha...bhale hi wo dono yahan se jaa rahe the par jo bankar wo yahan aaye the,unka toh yahan hona zaroori tha....

khair,khuli rehne ki ab aur shakti nahi bachi thi meri aankhon me,isiliye....


.................HICH ....................


AUR YE AAYI MERI AAKHRI HICHKI.....



DORIAN-AKHIRKAAR YE KIDA

..........MAR HI GAYA.............






AAJ KE LIYE ITNA HI.....





AAPKA APNA V...J.....
 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI GASTON AUR DORIAN NE RAAZ KE PET ME VADIN NAAM KA ASTRA GHUSSA DIYA JISSE RAAZ KI HAALAT BIGATI CHALI GAYI AUR AAKHIR ME USNE APNI AANKHEN BAND KAR LI...


AB AAGE:-



CHAPTER-1


(UNFOLD THE RAAZ)



MEGA UPDATE-35



PLANET-ELYSIAN



PLACE-FORBIDEEN FOREST




YE TUMHARA ANTH NAHI HAI RAAZ....

YE US SAMAY KA ANTH HAI JISNE TUMHE MAAMULI HONE KA DARJA DIYA THA...

YE US GHADI KA ANTH HAI JISKI BISAAT ME AB TAK TUM SIRF EK MOHRE THE...

YE US AAKHRI LAMHE KA ANTH HAI JAB TUM IS KAHANI KI MAHAZ EK KAMZOR KADI THE....


PAR AB WAQT, SAMAY,GHADI, LAMHA TUMHARE KHWAHISHON KE GULAAM HONGE....

KAAM SE HOTA HAI NAAM,

PAR AB TUM WO BANOGE,
JISKA NAAM SUNTE HI SAARE
KAAM HONGE.....


ek awaaz jo kisi bhavishyawaani ki tarah gunjte hue FORBIDDEN FOREST ke andar se aa rahi thi aur in saari baaton ke beech ussi FORBIDDEN FOREST ke andar se ek roshni nikal aage badhti chali jaa rahi thi....

aage badhte badhte wo roshni us FOREST ke shield ke paas aakar ek second ke liye ruki aur fir aage badh gayi...

par ye kya????wo roshni us SHIELD
ke beech me se aise baahar ki taraf nikal gayi maano wahan shield thi hi nahi....

FORBIDDEN FOREST ke andar se chali wo roshni shield ko cross karte hue seedhe RAAZ ki disha me chal padi...

RAAZ....jisne kuch der pehle hi apni aakhri hichki li thi...

jo mari hui si haalat me pada hua tha FORBIDDEN FOREST se kuch door ek maidan jaisi jagah par aur uske left side me ussi haalat me pade hue the asli ACCHUTA aur SLUNDER....

aage badhti hui wo roshni sidhe jaakar ruki RAAZ ke thik upar....

par RAAZ ke upar pahunchne ke baad bhi us roshni ne RAAZ ko chhua nahi,bas wahin steady hokar rooki rahi maano kuch hone ka wait kar rahi ho....

aur tabhi........

pure ELYSIAN planet se ek adrishya ray khudko sameththe hue aane lagi aur dekhte hi dekhte wo ray ek urja ka gola ban thik us roshni ke upar aakar ruki...

uske aisa karte hi wo roshni ek taraf ho gayi maano us ray ko raasta de rahi ho...

thik ussi waqt....

RAAZ ke sir ke upari bhaag me bhi us ray jaisi hi ek roshni ubhri aur aisa hote hi RAAZ ki body hawa me uthne lagi....

wahin RAAZ ki body ke upar uththe hi wo ray bhi neeche aane lagi aur kuch der baad.....

wo saari ray RAAZ ke brain me sama gayi....

aur aisa hote hi.....

RAAZ matlab mujhe meri aankhen band hone ke baad pure ELYSIAN me kya kya hua tha,wo pata chal gaya....

mujhe mara samajh GASTON aur DORIAN ka apne astra ko jo unhone mere pet me ghusaya tha,usse wapas kheench yahan se jaana, SWEEP-STAKE competition me ho rahi gati vidhi, ALFREEN ka jisne mujhe aaghat pahunchaya tha,uska MORALS ko cheer karna sab dikhne laga tha...

waise meri ankhen abhi bhi band thi....chetna meri abhi tak louti nahi thi par ek sapne ki tarah ye saari chizen,ya fir ye kahun ye saare tathya mere CONSCIOUS brain ke zariye mujhe dikhne lage....

khair,jaise hi wo ray mere andar samayi,us roshni ne jo ab tak rooki hui thi, apne daayre ko failaya aur dekhte hi dekhte mai aur mere saath saath ACCHUTA aur SLUNDER bhi us roshni ke ghere me aa gaye aur aisa hote hi meri hi tarah un dono ke bodies bhi hawa me uth gaye aur fir hum teeno hi hawa me lehrate hue us roshni ke saath FORBIDDEN FOREST ki tarar badh chale...

meri body sabse aage thi... FORBIDDEN FOREST ke entrance me pahunch mera sharir rook gaya....

rookne ke baad hawa me lehrata mera sharir dheere dheere sidha hua aur aisa hote hi mere pure sharir se ek nayi urja baahar nikal us SHIELD par padi aur tab.....

FORBIDDEN FOREST ka wo impenetrable SHIELD ek tez gadgadahat ke saath gayab ho gaya....

us SHIELD ke gayab hone ke agle nano seconds ke andar mera, ACCHUTA aur SLUNDER ka sharir us roshni ne FOREST ke andar kheench liya aur aisa hone ke theek baad....

ek naya SHIELD us entrance me ban chuka tha...ye wo shield nahi tha jo ab tak FORBIDDEN FOREST ke charon taraf ghira hua tha par haan,strong ye us SHIELD jitna hi tha ya fir shayad usse bhi zyada....

khair, FORBIDDEN FOREST ke andar kheenchate hue hamara sharir waise hi hawa me float hota hua aage badhne laga....

aur fir ek jagah pahunchkar......

hum teeno ka sharir neeche zamin me utar gaya....

jahan hum behosh pade the,wahan se kuch door ek choti si chattan thi aur ussi chattan ke upar ek choti par behad shaktishali urja se bhari roshni chamak rahi thi...

ye wahi urja thi jo kuch der pehle mere baare me baat kar rahi thi aur isne hi hum teeno ke sharir ko roshni ke maadhyam se yahan tak laaya tha...

sthir mudra me kuch der tak wo urja thehari rahi maano mujhe dekh rahi ho par fir....


RAAZ........

mera naam pukara us urja ne jo sidhe mere dimag me gunj si uthi aur aisa hote hi dheere dheere meri aankhen khul gayi.....





PLACE-SWEEP-STAKE





SAMVESTATE


SHRINK TOGETHER



WICKEDS ki human chain formation me jo SAVENT sabse aage tha,usne is spell ko uccharit kiya tha jiske baad uski puri team ka aakar ek chiti ki size ka ho gaya aur aisa hote hi WICKEDS ne apni human chain tod di....

human chain ke toothte hi wo sabhi tezi se us aag ke diwal ki taraf badhne lage par aisa hone ke baad bhi unme se kisi ne bhi khudko rokne ki koshish nahi ki....

wo 10 SAVENTS tezi se us aag ke diwal ki taraf kheenchane lage aur jaise hi wo aag unhe jalane ko hui toh.....

arre ye kya????

wo 10 ke 10 SAVENTS toh us aag ke diwal ke aar paar ho gaye aur wo bhi bina us aag ki chapet me aaye hue.....

par kaise???

wo aise ki kuch der pehle tak human chain ka formation liye WICKEDS ke aabse aage khade SAVENT ki nazar badi baariki si us aag ke diwal ka nirikshan kar rahi thi...

lagatar dhyan purvak dekhne par usne dekha ki jahan wo puri diwal aag ke peeli lapton se bani hai wahin us diwal ke right side par ek aisi jagah bhi hai jahan aag ka wo peelapan baaki jagahon se halka alag hai...

diwal ke baaki ka pura area jaisa aag dikhta hai,waisa hi dikh raha tha par wo area jahan us SAVENT ki nazar thami thi,halka diamond jaisa shine kar raha tha...

wo area behad chota tha par apni alag chamak ki wajah se dhyan dene par dikh raha tha aur usse dekhte hi is SAVENT ko samajh aa gaya ki yahi hai is task ka ZUNYATA bhaag matlab UNREAL part...

bas fir kya tha,sacchayi jaanane par apne mind ko apne sabhi sathiyon ke mind se jod usne sabko ye baat batayi aur fir un sabhi ne khudke chain ko us ZUNYATA waali jagah ke sidh me kiya ..

aisa hote hi saamne waale SAVENT ne sabke liye shrinking spell ko uccharit kiya aur fir jo hua,wo sabke saamne tha....

jaise hi WICKEDS ke SAVENTS us diwal ke dusri taraf pahunche,


TASK COMPLETED....

WINNER WICKEDS.....


ground ke upar se competition ko dekhti MABBA ne bohot proudly is baat ko kaha tha wahin unke baaju me khadi VIOLET WHIZZ MORALS ke haar se sad thi...

MABBA ke announcement karte hi ground ke dusri taraf apne task se jujhte MORALS ke saamne bani paani ki diwal gayab ho gayi.....

MORALS ki team ko bhi pata tha ki pehla task wo haar chuke hain jiski wajah se unke sir neeche ho gaye the....

jahan aadha stadium jo ki WICKEDS ke samarthakon se bhara tha,apne team ki jeet ko dekh Khushi se ucchal pade wahin baaki ka stadium jo MORALS ko support kar raha tha,wo bhi apni team ki tarah udaas ho gaye....


SHITTTT.......


ek saath nikla tha ye shabd OPHILIA,NOX aur OMMIN ke mooh se....

ye teeno bhi MORALS ke samarthak the aur apni team ko haarta dekh sad ho gaye the...


MABBA-NEXT TASK STARTS IN 30 MINUTES....


MABBA ki awaaz pure STADIUM me gunj uthi jiska matlab tha ki aaj ke first halt,first break ka waqt ho gaya hai....

sabhi darshak apne apne stand me bane food & beverages stalls ki taraf badh gaye...

OPHILIA, NOX aur OMMIN bhi apni seat se uthne hi waale the ki....


DHANNNNNN......DHANNNNNN..........


jhunjhuni si padi in teeno aur in teeno ke saath ground ke beech khadi VIOLET WHIZZ ke kaano me jisse sun in chaaron ki hi aakhen badi ho gayi aur chaaron ke mooh se ek saath nikla....


WARNING BELL......


VIOLET WHIZZ- MABBA, mujhe jaana hoga....meri jagah kisi aur ko ARBITER rakh lena....


VIOLET ki baat sun MABBA hairan hui par isse pehle wo VIOLET se kuch puchti, VIOLET gayab ho chuki thi....

gayab hokar VIOLET sidhe apne sah WHIZZES aur WHIZZDERS ke saamne prakat hui....

VIOLET ko yun achanak apne saamne dekhne ke baad bhi wo teeno bilkul hairan nahi hue...

ALARM BELL....ye reason kaafi tha un sabke ek saath aane ka....


OPHILIA-VIOLET...kuch samajh me nahi aa raha hai... ALARM BELL baja par kyun baja,iski khabar hume nahi ho paa rahi hai....

NOX- alarm bell ke bajne ka kaaran hai kisi SAVENT par anhoni ka ghatna par kis SAVENT ke saath kya hua hai???iski jaankari alarm bell ne humtak nahi pahunchayi hai!!!

OMMIN-aur yahi samajh nahi aa raha hai ki ye kaise possible hai???alarm bell ka kaam hi yahi hai ki jo bhi anhoni ghati ho,uske baare me puri jaankari us SAVENT ke PHASE WHIZZES aur WHIZZDERS ko de...

fir is adhuri baat ka kya matlab ho sakta hai..???

VIOLET-yahi ki kisine ALARM BELL ke important interference ko rok diya hai....


VIOLET WHIZZ jo in teeno ki baat ko sunte hue ek disha me dekh rahi thi,usne ye baat kahi par unki baat kisi ke samajhme nahi aayi...


OMMIN-important interference ko rok diya hai,matlab????


OMMIN ke sawal par VIOLET ne kuch kaha nahi bas jahan wo dekh rahi thi,us taraf apni finger point kar di...

ye finger point hui thi RAAZ, ACCHUTA aur SLUNDER ke stand ki taraf jahan is waqt sirf BROWNY hi moujud tha,baaki teeno gayab the....


VIOLET WHIZZ ke finger pointing disha ki taraf dekhte hi...


OPHILIA-arre,ye RAAZ, ACCHUTA aur SLUNDER kahan chale gaye...???ek minute,kahin tum....


VIOLET-haan,jo ho raha hai,usme kahin naa kahin ACCHUTA aur SLUNDER ka haath zaroor hai....


OPHILIA ki adhuri baat ko VIOLET WHIZZ ne pura kiya....


OMMIN-aisa zaroori toh nahi..ho sakta hai wo teeno kahin paas me hi ho...

VIOLET-dekhte hain....


apni baat bol VIOLET WHIZZ apne saath baaki teeno WHIZZ aur WHIZZDERS ko lekar gayab ho gayi...


BROWNY chupchaap apne stand par khada tha ki tabhi uske saamne ek roshni si prakat hui aur fir us roshni se baahar nikle uske PHASE ke chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS jinhe yun achanak apne saamne dekh BROWNY behad shocked ho gaya....


VIOLET-baaki teeno SAVENT kahan hain BROWNY...????


VIOLET WHIZZ ke sawal ko sun pehle toh BROWNY hadbadaya par fir....


BROWNY-WHIZZ,wo teeno toh kaafi der se yahan nahi hain...

VIOLET-kitni der se gayab hai teeno???

BROWNY-kaafi der ho chuka hai WHIZZ...infact competition ke shuru hote hi RAAZ yahan se nikal gaya tha aur uske kuch hi der baad ACCHUTA aur SLUNDER bhi chale gaye the..

jaane ke baad abhi tak un teeno me se koi ek baar bhi nahi louta hai....

VIOLET-thik hai...


apni baat bol chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS stand se baahar aa gaye....


OMMIN-competition ke start se hi gayab hain ye teeno.. par competition ko shuru hue toh kaafi ghante beet chuke hain....

itni der se kahan hain ye teeno..???kahin hostel...

VIOLET-nahi.. hostel toh kya,wo teeno pure CHOSENS me kahin nahi hain...

pura CHOSENS SENSE SHIELD se ghira hua hai.. yahan har SAVENT ko track kiya jaa sakta hai....

par teeno us shield ke daayre me nahi hain...

NOX-toh ab kya karen???kahan dhunde un teeno ko and most importantly,kaise pata karen ki alarm bell kyun baja tha...????

VIOLET-do nahi,hamare saamne sirf ek hi problem hai...in teen missing SAVENTS ko dhundna..mujhe pura yakin hai ki ALARM BELL ke bajna in teeno se hi juda hua hai...


ab tak baaki teeno WHIZZ aur WHIZZDERS ko bhi VIOLET WHIZZ ke itne dino tak ACCHUTA aur SLUNDER par kiya shak ab sahi lagne laga tha...

aur uske upar RAAZ..jo apne aap me hi ek anokha piece tha,uska yun gayab hona aur wo bhi un do suspects ke saath,unke dilon me kisi anhoni ke hone ki ashanka de raha tha..


OPHILIA-ye matter bohot bada hai VIOLET..aur hume jald se jald isse solve karma hoga....

VIOLET-iska ek hi tarika hai..hume in teen SAVENTS ki khoj CHOSENS se baahar pure ELYSIAN me karni hogi aur wo bhi turant....

OMMIN-par VIOLET... ELYSIAN ka skheshtra phal 20000 thousand kilometers ka hai...

kya tumhari search ray ki urja itni badi jagah ko cover kar paayegi..!!!!

VIOLET-nahi...mai hi kya, CHOSENS me is waqt kisi bhi PHASE ke kisi bhi WHIZZES aur WHIZZDERS ka soul itna AMPLIFIED nahi hai jo ye kar sake siway ek ke....

SAB-MARILIZA.......


chaaron ke mooh se ye naam ek aaath nikla aur aisa hote hi VIOLET WHIZZ ne apni aankhen band ki aur....


VIOLET-hume aapki zaroorat hai WHIZZ MARILIZA....hamari madad kijiye.....


apne dimag ke tarango se ye message bheja VIOLET ne...


wahin kuch purane respected X SAVENTS jo ki MORALS the,unke saath baithi MARILIZA ke kaano me ye awaaz gunji jiske baad wahan se uth stand se baahar aate aate hi wo gayab ho gayi aur unke gayab hote hi wo chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS bhi gayab ho sidhe pahunche MARILIZA WHIZZ ke office me jahan unse kuch seconds pehle hi MARILIZA WHIZZ bhi pahunch chuki thi..

MARILIZA WHIZZ ko greet karne ke baad VIOLET ne unhe problem ke baare me bataya aur saath hi ACCHUTA aur SLUNDER ke baare me jo unka shak tha,usse bhi diaclose kiya jisse sun...


MARILIZA-ye toh sach me ek gambhir samasya hai...waise jab aapko un do SAVENTS ke upar shak tha,toh aapne mujhe yaa fir jab SOVEREIGN'S yahan moujud the,unhe pehle hi kyun nahi bata diya...????

VIOLET-kyunki jo negetive but strong vibes mujhe un dono se aaye the,wo bohot kam samay ke liye the...

isse pehle ki mai us vibe ko capture karkar aapse ya SOVEREIGN'S se uski jaanch karwaun,wo vibe aur uski energy gayab ho chuki thi....

isiliye batane ka koi faayda nahi tha par maine un dono par har tarah se nazar banaye rakhi thi taaki agar wo vibe mujhe dobara sense ho,toh koi action le sakun par aisa kabhi hua hi nahi....

MARILIZA-hmm...RAAZ..... ACHHUTA,SLUNDER.....


baari baari se MARILIZA WHIZZ ne in teen SAVENTS ka naam liya aur unke aisa karte hi dusre kone me bane shelf jiske upar PHASE 1 likha hua tha,usme se teen files jo halki chamak rahi thi,udte hue MARILIZA ke saamne aakar rook gayi jisse MARILIZA ne pakad liya...

jaisa ki piche update me GASTON ne RAAZ ko bataya tha ki brambhaand ke har jeev me ek aura hota hai,ye file jo is waqt MARILIZA ke haath me thi,wo aur kuch nahi balki RAAZ, ACCHUTA aur SLUNDER ka aura thi jo aise hi kisi situation me use karne ke liye unke yahan admission hote hi apne aap unke PHASE ke liye bane shelf me ek file ka roop banakar rakh di gayi thi.

un teeno files ko pakad MARILIZA ne unhe apne saamne table par rakh diya...


OMMIN-WHIZZ,kya aisa nahi ho sakta ki pehle jo kuch bhi in kuch ghanto me ghata hai,uske baare me pata kiya jaaye jisse asal baat jaanane me madad mile...

MARILIZA-aap bhul rahe hain OMMIN ki is waqt aap PHASE 3 me khade hain...

jo rules PHASE 1 par laagu hote hain,wo PHASE 2 aur 3 me nahi hote....


PHASE 1 me SAVENTS ke beech hui choti se choti ghatna ki suchna us PHASE ke chaaron taraf lage SUCHNA KAWACH se mil sakti hai par wo KAWACH aage ke dono PHASES me nahi lagti ya fir ye kahun nahi lagayi jaa sakti aur iski wajah toh aapko maalum hi hai...

OMMIN-jee....

VIOLET-is situation ko sirf MARILIZA WHIZZ ki search ray se hi handle kiya jaa sakta hai...

MARILIZA-uski bhi zaroorat nahi hai....


apni baat bol MARILIZA ne un teen files se thoda upar hawa me haath rakha aur....


PARYESANA AVAMATI

SEARCH YOUR ORIGIN


SPELL ke uccharit hote hi MARILIZA ke haath se ek ray nikal un teen files par padi aur aisa hone ke agle hi pal...

wo teen files aankhon ke liye gayab ho gayi....

kehne ka matlab hai ki wo teeno hi files invisible mode me jaisa ki ek normal aura hota hai,aakar us office se baahar nikal ek disha me badh gayi...

wahin MARILIZA ki aankhen band thi...

reason....

jo ray unke haath se nikli thi,wo unki divya drishti ka ek chota sa ansh tha jo un teen AURA se jud unke saath saath aage badh raha tha aur wahin MARILIZA apni aakhen band kiye un teeno AURA ko dekh rahi thi...

wo teeno AURA tezi se ek disha me aage badhti hui jaa rahi thi aur dekhte hi dekhte wo teeno AURA ek jagah par aakar rook gayi....

aur jab aisa hua...

MARILIZA ki aankhen jhat se khul gayi...is waqt unki aankhon me hairani saaf dikh rahi thi jo unke saamne khade chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS se naa chhup paayi aur...


VIOLET-kya hua WHIZZ MARILIZA....???kuch bohot galat hua hai kya????

MARILIZA-galat ka toh pata nahi kintu alag aur ajeeb zaroor hai...


MARILIZA ki baat ka matlab chaaron me se koi bhi samajh nahi paaya par isse pehle ki koi unse is baare me puchta...

MARILIZA WHIZZ ke sharir se ek roshni nikli jisne un chaaron ko bhi gher liya aur aisa hone ke agle hi pal wo paanchon gayab ho chuke the....

gayab ho wo paanchon ek nayi jagah pahunchen ya fir ye kahun ki wahan pahunchne jahan is waqt RAAZ, ACCHUTA aur SLUNDER ke AURA pahunchkar rook gaye the...

gayab hokar nayi jagah pahunchna chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS ke liye aam baat thi par is nayi jagah par pahunchte hi wo chaaron behad hairan ho gaye aur un chaaron ke mooh se ek saath nikla


FORBIDDEN FOREST.....






PLACE-INSIDE FORBIDDEN FOREST



WOOGER.........


WOOGER-aapne mujhe pehchaan liya!!!!jabki mai toh abhi us roop me bhi nahi hun....


aankh khulte par mai khada hua... ALFREEN ke ray se ho rahi jakdan ab mujhe bilkul bhi mehsoos ho rahi thi...

khade ho jab maine saamne dekha
toh khud se thodi door par rakhe ek chattan ke upar behad tez chamakti urja dekhi...

is urja se mujhe wahi feeling aa rahi thi jo WOOGER se milkar hui thi aur isiliye maine uska naam pukara tha.....


MAI-mai mehsoos kar sakta hun tumhe...aur ab jab hum dobara mil hi gaye hain toh tumse mera pehla sawal bhi yahi hai,kyun???kyun itni achi tarah mehsoos kar paata hin mai tumhe...

tum jab baat karte ho,toh aisa kyun lagta hai jaise tum.nahi balki mai hi baat kar raha hun...

tumse mujhe tum waali nahi,mai waali feeling aati hai.. kyun???


mer sawalon par kuch der wo urja yunhi chamakti rahi aur fir...


WOOGER-kyunki mai aapka hi ek atirikt hissa hun...an extra piece from the whole of you that was created because of your HARD WORK.....

MAI-WHOLE OF ME????HARD WORK????

mai samjha nahi...

WOOGER-shuruat se shuru karen...jab aapki yahan CHOSENS me ek nayi zindagi ki shuruat hone waali thi...

MAI-us nayi zindagi ka toh tumne shuru hone se pehle hi anth kar diya tha....

yahan kuch bhi karne se,kisi bhi class me actively part lene se,yahan tak ki kisi se positively baat tak karne se mana kiya tha tumne...

ek hi kaam ki chiz thi mere paas,mera conscious brain,uska bhi 90 pratishat bhaag tumne mujhse alag kar diya tha...


ji haan doston,ye WOOGER hi tha jiski wajah se RAAZ ne kabhi koi class seriously attend nahi ki....


wo scene toh yaad hi hoga aap sab ko jab RAAZ aur WOOGER pehli baar aamne saamne hue the...

(update 14)


us waqt jab WOOGER RAAZ ko ghoor ghoor kar dekh raha tha aur jab FLORIN ne ye dekha toh unhe laga ki shayad WOOGER RAAZ ko nuksaan pahuchane waala hai aur unhone mujhe awaaz di thi...

us waqt WOOGER sirf RAAZ ko ghoor nahi raha tha balki uski aankhon ke through RAAZ mind se connect hokar usse baat kar raha tha....


us raat WOOGER ke hi kehne ya fir ye kahun ki plan ki wajah se CHOSENS me RAAZ ne naa kabhi class ko seriously liya aur naahi kisi se kabhi bhi positively baat nahi ki...

waise baat waali baat itni important hai nahi kyunki RAAZ ko waise bhi kisise baat karna pasand nahi hai...

khair,

RAAZ ke paas bhale hi subconsious brain nahi hai par uska conscious brain itna zyada strong hai ki first PHASE ke sabhi SAVENTS,apni wo khubiyan jo wo apne subconscious brain ko trigger karkar kar sakte hain,usse kahin zyada chizen RAAZ bas apne conscious brain ko use me laa kar kar sakta hai...

par HOEA FORST me WOOGER ne RAAZ ke brain me ek extract ray chhoda tha jiski wajah se RAAZ jaise hi CHOSENS me kadam rakhne ko hua,uske conscious brain ka 90 pratishat bhaag uske brain se nikal gaya....

kya kuch kar sakta hai RAAZ ka conscious brain, aur kyun WOOGER ne usse extract kiya,aayiye khud WOOGER se hi jaan lete hain...


WOOGER-maine aapse kuch bhi karne ke liye KAHA nahi tha,bas request kiya tha...

aur mujhe is baat ki behad khushi hai ki aapne mere request ka maan rakha....

MAI-par sawal toh ab bhi wahin hai...itna sab aakhir kyun???

WOOGER-kuch ke jawab toh aapko ab tak mil hi chuke honge...

aapke brain extraction ki wajah se aapke consious brain ka bada bhaag pure CHOSENS me faile gaya jiski wajah se pure CHOSENS me kaun kab kya kar raha tha,wo sab aapke bache hue 10 percent brain ko dikh jaata tha...


aapko yaad hoga doston ki jab bhi ACCHUTA aur SLUNDER RAAZ ke room me aate the toh RAAZ ki aankhen hamesha band hi paate the,us waqt RAAZ wahi saare scenes ko dekh sab kuch samajhta rehta tha...

aur abhi bhi kuch der pehle jab RAAZ FORBIDDEN FOREST ke baahar behosh pada tha aur pure CHOSENS se ek ray nikal uske dimag me samayi thi,wo ray aur kuch nahi balki RAAZ ka 90 percent conscious brain hi tha...


WOOGER-aapke conscious brain ke paas ho rahe situation ko tackle karne aur hone waale situations ko samajh usse apne man mutabik anjaam tak pahunchane ki capability hai aur isiliye jab aap kisi ke bhi saamne jaate the,toh aapko kaise react karna hai,wo CHOSENS me faila aapka consious brain aapko bata deta tha...


(ALFREEN,MAHI WHIZZES,WHIZZDERS sabhi apni marzi se nahi balki RAAZ ke consious brain ke mutabik react karte aa rahe the)


WOOGER-apke conscious brain ki future prediction capability ka is baat se hi andaza lagaya jaa sakta hai ki sahi samay par aap yahan pahunch gaye hain...


WOOGER ke is baat ko sun itne der me pehli baar maine har taraf nazar ghumayi aur tab mujhe pata chala ki mai kisi alag hi jagah par hun...

bahar shaam dhalne laga tha par yahan jahan mai tha,wahan toh already andhera ho chuka tha..

ye toh WOOGER ki urja thi jiski wajah se aas paas ujala faila hua tha...

har taraf dekh jaise hi meri nazar mere theek piche gayi toh mujhe ACCHUTA aur SLUNDER neeche pade hue dikhayi diye...

unhe dekh mujhe wo scene yaad aa gaya jab GASTON aur DORIAN ne in dono ko mere baaju me fekh diya tha...

aur saath hi uske baad kya kya hua tha,wo sab mujhe dikhne laga par saare drishyon ko dekhne ke liye mujhe concentrate nahi karna padh raha tha jiska ek hi matlab tha ki mere brain ka wo 90 percent bhaag jo CHOSENS me faila hua tha,wo wapas mujhme sama chuka hai....


MAI-in dono ko yahan laane ki koi khaas wajah....???

WOOGER-nahi..bas kyunki ye aapke saath hi behosh pade the, isiliye inhe bhi mai yahan le aaya..

agar aap kahen toh mai inhe wapas wahin fekh deta hun jahan se inhe laaya tha...

MAI-wo sab baad me...pehle mere sawalon ke jawab do....mere conscious brain ko mujhse alag kiya hi kyun tumne...???

jo tum chaah rahe the,wo toh mere brain mere paas hone ke baad bhi kiya jaa sakta tha...

WOOGER- nahi kiya jaa sakta tha....agar yahan CHOSENS me aapka brain aapke paas rehta,toh aap jeevit nahi bachte...

MAI-aur aisa kyun????

WOOGER-iska jawab aapko apne aap pata chal jaayega...

MAI-hmm...WHOLE OF ME????HARD WORK????aisa kyun kaha tha tumne...???

kyunki jahan tak hard work ka sawal hai toh wo toh maine earth me kiya nahi aur CHOSENS me tumne hi karne nahi diya aur rahi baat tumhare extra piece hone ki FROM THE WHOLE OF ME toh jitne piece kisi ke existence ke liye zaroori hote hain,mere paas toh uski bhi shortage hai fir tum mere extra piece kahan se ho gaye....????

(ji haan doston, RAAZ ko apne missing organs ke baate me pata hai...)


WOOGER-BRAIN,BODY,BLOOD aur SOUL....

khudme inhi ki shortage ki baat kar rahe hain aap???

MAI-haan....

WOOGER-ye pura nahi aadha sach hai....

MAI-toh baaki ka aadha sach kya hai...???

WOOGER-ek aisa sach jisse aapka ye adhura sach jhooth me badal jaayega....

MAI-mai samjha nahi....

WOOGER-sab samajh jaayenge...samajhne ka waqt bhi aa chuka hai..waqt aa chuka hai RAAZ ke unfold hone ka....waqt aa chuka hai aapko RAAZ ka matlab jaanane ka....

aur us matlab ko maayne dene ka....

MAI-RAAZ ka matlab jaanana!!! RAAZ toh bas naam hai mera....

WOOGER-nahi......RAAZ ko naam maan liya gaya hai....asal me RAAZ koi naam hai hi nahi....

MAI- RAAZ naam nahi hai...???toh kya hai RAAZ....?????

WOOGER- RAAZ ek shabd nahi balki chaar alag alag akshar ka ek samuh hai..

aapki bhasha me kahen toh RAAZ ek ACRONYM hai..... ek PARIVARNI hai...

R....A......A.....Z......

jisse manushyon (FLORIN, MARIA)ne jod kar ek word aur ek naam bana diya hai.....RAAZ.....

MAI-acronym!!!!kya banta hai is acronym se...aur mera kya rishta hai is naam se.....???


WOOGER- R...A...A...Z....

R ka matlab RENAISS.....

A stands for ANGIS......

A se banta hai ANNJAYA.....

Z se bana hai ZEAL......


RENAISS,ANGIS,ANNJAYA,ZEAL...

TOGETHER they become U, RAAZ.....


RAAZ ke pure initials bata akhir me chillate hue naam liya WOOGER ne mera jiske baad....

KADKADKADKAD.............


pure FORBIDDEN FOREST me bijli si kadak gayi.....par sabse kamal ki baat ye thi ki ye bijli aasman se nahi balki yahi FOREST ke andar se
janmi thi....

par mera saara dhyan is waqt WOOGER ki kahi gayi baaton par tha....

mere dimag me WOOGER ke kahe gaye chaaron naam gunj rahe the.....

kyunki ab mera pura conscious brain mere paas tha, isiliye meri sochne ki shakti bhi behad tez ho gayi thi...

koi normal insaan toh kya koi talanted SAVENT bhi mere conscious brain ke sochne ki speed ko match nahi kar sakta tha...

ye chaaron shabd mere dimag me gunj rahe aur tabhi.....


MAI-RENAISS...ye shabd RENAISSANCE MAN se liya gaya hai....

Renaissance man....jiska matlab hota hai man with a brilliant and rare BRAIN.......


BRAIN.......RENAISS matlab BRAIN......



WOOGER ko dekhte hue maine ye baat kahi jo ab halka tez chamakne laga tha maano aisa kar mere sahi hone ka sanket de raha tha..


MAI-ANGIS toh ek indian ancient language ka word hai jiska matlab hota hai ANG matlab BODY......


ANNJAYA bhi ek ancient language ka word hai jiska matlab hota hai ocean of.................BLOOD...................


ZEAL....zeal ke toh kayi matlab hain par according to bible ZEAL is a property of spiritual SOUL.......


yaani RENAISS,ANGIS,ANNJAYA,ZEAL ka matlab hai BRAIN,BODY,BLOOD and SOUL.....

mera naam asal mere missing organs hain....!!!!!


KADDDKADDDDDD.......


ek paheli si thi ye jisse maine crack kar liya tha aur aisa hote hi ek baar firse pura FORBIDDEN FOREST ek tez gadgadahat se naha utha...

(doston,ye saare naam maine apne man se nahi diye hain..ye sab words wakayi kis naa kisi tarah se brain,body blood aur soul ke synonyms hain....)


ek baar us ho rahi gadgadahat ke taraf dekh mai wapas WOOGER ki taraf palta aur....


MAI-in chaaron ka matlab toh BRAIN,BODY,BLOOD,SOUL hai....

jo cheezen jo parts,mere paas nahi hain,unhi se bana hai mera naam......!!!!!


WOOGER-RENAISS,ANGIS,ANNJAYA,ZEAL..ye chaaron sirf shabd nahi hain....

MAI-toh fir kya hain ye...????aur mera inse kya lena dena....!!!!

WOOGER-lena dena hai RAAZ..bohot gehra lena dena hai.....

aapke astitv ka shroth hain ye chaaron naam....

aapke sampuranta naamak taale ki chaabi hai ye chaaron naam...

in chaar aksharon me hi bate ho aap...aapke jeeven aur uske uddeshya ko purn karte hai ye chaaron naam...

KYUNKI AAPKI YE ZINDAGI PEHLI NAHI BALKI PAANCHWI HAI....

aur ye chaar naam un PLANETS ke hain jinme aapke pehle chaar jeeven beete hain...

ya fir ye kahun ki wo chaar jeeven hi aapke is paanchve jeeven ke aadhar bhi hain,aur kaaran bhi...

chaar PLANETS....chaar naam jinke initials se banta hai....RAAZ.....

yahi hai aapki sacchayi...yahi hai aapki sampuranta ka saar aur yahi hai wo manzil jisse nirdharit hogi aapki niyati.....

yahi hai kahani ka wo adhyaya jo sabse chhupa hua tha aur ab jab ye sach sabke saamne hai toh ab....


waqt aa gaya hai is sach ko grahan karne ka...

waqt aa gaya hai khudse ladkar khudse jeetne ka...

waqt aa gaya apne naam ko uski jagah par jaakar UNFOLD karne ka...


toh kya taiyar hain aap khudko pura karne ke liye....???un chaar PLANETS me jaakar jo apna hai,usse haasil karne ke liye...


pata nahi kyun,par WOOGER ki baat sun ek ajeeb si tapish uthi mere andar maano mera rom rom apne astive ko pura karne ke liye mujhse guhaar laga raha ho....

aur isiliye....


MAI-isse zyada taiyar mai kabhi nahi hua....


SSSSASSS......OOOBBBBB......


mere bolne bhar ki der thi...mere saamne khade urja roopi WOOGER ke beech se ek ray nikal mujhpar padi jiske agle hi pal mai kheenchata hua sa us urja ki taraf badh chala aur jaise hi maine us urja ko chua.....

hum dono hi gayab ho chuke the....
aur finally wo waqt aa chuka tha...

khudke baare me kaafi kuch toh jaan chuka tha mai par ab waqt tha khudse khudko milane ka...

waqt....time......


TO UNFOLD THE RAAZ......







AAJ KE LIYE ITNA HI......





AAPKA APNA V.....J......
 

Top