Fantasy Badlaa - Meriaiza's Vendetta Hindi Mein

Newbie
17
1
0
Update 4
-----------

Rahul ko Raghu se baaki 2 gundon ke bhi naam mil gaye thhe - Salim aur Manoj. Wo dono Rahu se kuch alag thha. Salim ek vehshi tha jo ke baht khoon kar chuka tha. Dacaiti aur drugs se bhi usska bahut naam joda jaata thha lekin wo itna shaatir tha ke kabi bhi usska naam in cheezon se nahi jud paya. Agar ussk koi aadmi pakkad bhi liya jaata thha to kabhi bhi apna muh nahi kholta thha, chahe usse kitna bhi dand do. isska ek bahut hi seedha sa karan thha. agar uss aadmi ko kuch ho jaata to salim usske ghar walon ki achchi tarah se dekhbal karta, lekin agar koi salim ke baare mein kuch batata to naa to wo aadmi bach pata thha aur na hi usska parivar. Salim koi aira gaira nathu khaira nahi thha jisse tum uttha ke jail mein band kar do aur thoda maaro to woh apne jurm kabool kar le. usski pahunch bahut upar tak thhi aur agar wo kabhi pakda bhi jaata to ussko chootne mein der na lagti. Rahul ke hisaab se uss naujawan ne bilkul sahi aadmi chuna thha apne kaam ke liye.



Doosri taraf manoj salim jitna bada mujrim nahi thha par wo raghu jitna chhota bhi nahi tha. Usske upar abhi bhi 6 khoon aur anginat choote-mote jurmon ka dosh thha, lekin salim ki tarah hi wo bhi kabhi pakda na jaata kyunki usske khilaaf bhi koi saboot na milta. wo koi bhi jurm paison ke liye nahi karta thha, balki issliye karta thha kyunki ussko aise kaam karne mein mazaa aata thha. Rahul ko yeh baat bahut hi ajeeb lagi thhi ke Manoj 5 laakh ki chhoti si rakam ke liye itna sab karne ko tayyaar ho gaya thha. fir ussne socha ke shayad raghu ko thhode paise hi mile ho. "ab samay aa gaya hai ke manoj apne kiye ki sazaa paye" rahul ne socha aur apne plan ke agle padhav ko mukammal karne ke baare mein sochne laga.



Manoj ko dhoondhna mushkil kaam nahi thha. mushkil thha ussko iss tarah se thikane lagana ke police ya salim ko koi shakk na ho ke kisi ne ussko maara hai. kaafi ghanton tak socne ke baad ek plan rahul ke dimag mein aaya. wo Majid lala naam ke ek bicholiye ko jaanta thha jo ki underworld ke saath saude karwane ka kaam karta thha. apne samay mein majid bhi ek bahut hi khunkhaar gangster hua karta thha. usski kismat achchi thhi ke wo abhi tak police ka shikaar nahi bana thha. ab iss umar mein wo alag alag dhandhe karne laga thha jaise dushman gangs ke beech samjhaute karwana, ameeron ka kaam le kar gundon se karwaana ityaadi. majid pe rahul ke purane ehsaan ka badla chukaana baaki thha. ek baar Rahul ne usske bachche ke saath sakhti na dikhaate hue, ussko chhod diya thha kyunki wo jaanta thha ke majid se baad mein kaam nikalwa sakta hai. aaj wo din aa gaya thha. Ussne kabhi nahi socha tha ke majid kabhi usske niji maamle mein madat karega, par aksar jaisa aadmi sochta hai waisa hota nahin. wo majid se ek adhoori khadi building mein mila. jab ussne majid ko saara kissa sunaya aur usski madat ki guhaar kari to bahut hi gambheer swar mein majid bola,



"tumhein pata to hai na ke tum kyaa maang rahe ho... agar wo bach gaya to main pakka tapak jaunga"



"mere upar vishwas kar majid. aisa kuch nahin hoga. iss baar main ussko maar ke hi dum lunga" ussko aashwasan dete hue rahul bola.



"yeh sabd mujhe bahut policewaalon ne bole hai pichle kayi saal mein. mujhe batao main tumhaare upar vishwas kyun karun?"



"kyunki unn logon ki trah, mujhe nyay se koi matlab nhi hai. main kisi court-kachehri mein vishwas nahi rakhta. usska faisla main wahin karunga. wahin ussko sazaa-e-maut milegi"



Kaafi samjhaane ke baad aakhir maajid man hi gaya. asal mein manoj ko salim ke siwa koi bhi chahta nahi thha. manoj kisi ko bhi aadar nahi deta thha jisse baaki sabhi don usske prati gusse mein hi rehte thhe. bahut log to andar hi andar hi uss se darrte bhi thhe ke pata nahi wo pagal kab kya kar baithe. majid ne manoj ko phone kiya aur usski dukhti rag pe haath maar diya. majid jaanta thha ke manoj doosron ke liye kaam karte karte tang aa chuka hai aur apna gang chalane ke liye paison ko ikaththa kar raha hai. asal main manoj salim se bhi bada gangster ban jaana chahta thha. majid ne ussko bola ke usske paas ek aisa kaam hai jo manoj ko itne paise dila sakta hai ki usski sari khwahishein poori ho jayein. Manoj jhatt se ussko milne ke liye maan gaya aur kisi aur ko na batana ka bhi waada kar diya. milne ka tay hua ke aadhi raat mein lohe ke karkhaane mein mila jayega jo ki majid ke kisi dost ki thhi.



jab manoj uss factory mein ghusa to kisi ne andar ghusne ke darwaaza band kar diya. achanak se hi wo jagah roshni mein nahane lagi. pehle to manoj ko dhakka laga ke saamne Rahul kaise khada hai, lekin wo wo zor zor se hansne laga



"mujhe pata thha ke tu jaldi hi mujhse mulaqat karega. lekin cinta mat karna. teri gaand bhi ussi tarah se maarunga jiss tarah se teri biwi ki maari thhi" kehte hue wo aur zor zor se hasne lag gaya.



"jitna hasna hai has le gaandu. kuch hi palon mein main tera wo haal karunga ke tu uss pal ko kosega jab tu paida hua thha." Rahul bola aur apne paas mein rakhe bag mein se kasaiyon waala churra nikal liya. uss churre ko dekh kar manoj aur bhi zor se hansne laga.



"Tere liye mere paas bhi ek tohfa hai... yeh yaad hai" kehte hue manoj ne apne kapdon mein chipaya hua waisa hi chaaku nikal liya aur zor zor se hansne laga. "yeh wohi chakku hai jisse maine uss kuttiya ke tukde kare thhe. sach poocho to mujhe pata nahi hai ke mujhe zyaada mazaa kis mein aaya thha - usski gaand marne mein ya usske tukde karne mein. ab dekh, teri wajah se mujhe wo jannati gaand yaad aa gayi. par chinta mat kar. aaj teri gaand bhi main waise hi phaadunga" kehte hue wo fir pagalon ki tarah hansne lag gaya. rahul ke liye itna hi bahut thha. apni aankhon mein gusse ke angaare le kar wo dono ek doosre ki taraf bhagne lage, chaaku upar kar ke. yeh to tayy thha ke in donon mein se ek ko aaj itna dard hoga jitna ussne apni zindagi mein kabhi mehsoos nahi kiya thha. lekin wo abhaaga kaun hoga, yeh tayy nahi thha.

______________________________
 
Newbie
17
1
0
Update 5
-------------
Dono churre waale haath ko upar utha ke ek doosre ki taraf bhaag rahe thhe. Jaise hi wo ek doosre ke paas pahunche, manoj ne pehla vaar rahul ki ore kiya. Rahul kisi tarah se bach gaya. wo churre usske muh ke itna saamne se nikla ke uss par lage steel ki smell tak rahul ko aayi. rahul fatafat se muda aur manoj ki peeth par ek vaar kiya. iss maut ke khel mein sab kuch jaayaz thha. usska churra maoj ki peeth par ek lambi chot karte hue neeche aaya aur uss ghaav se khoon behne lag gaya. “aaahhhhh” ki dardnaak awaaz manoj ke hoton se chooti. par apne dard mein bhare rehne ke viprit, manoj bhi jaldi se ghooma aur betahasha Rahul par vaar karne laga. pehle do prahaaron se to rahul kisi tarah se bach gaya par teesre vaar mein uss chaaku ne Rahul ke daayein haath par ek lamba ghaav chhod diya. khoon usske haath se jharne ki tarah behne laga aur dard usski aankhon mein dikhne laga. yeh dekh kar manoj ki aankhein chamakne lagi. par wo yeh bhool gaya thha ke Rahul jis raaste par chal raha hai, wahan sirf maut hi ussko rok sakti hai. Rahul ne dard ko andekha karte hue jaldi jaldi apne vaar karne shuru kar diye. jahan manoj bas churre ko ghooma raha thha aur dua kar raha thha ke Rahul ko lage, wahin Rahul ek soche samjhe tareeke se, alag alag jagahon par churra chala raha thha. agar manoj ek vaar se bach bhi jaata, to agle se na bach pata. kuch hi palon mein usski chaati, haath aur pairon par anek ghaav ban gaye thhe. wo dard ke maare apne ghutnon par gir gaya. pehli baar usski aankhon mein darr dekha ja sakta thha. Rahul yeh soch kar ke manoj haar maan chuka hai, ussek paas aaya. lekin manoj ne apne haath mein pakde chaaku ko usski taang pe de mara. manoj iss haalat mein to nahi thha ke zyaada shati is prahaar ke peeche laga pata, lekin fir bhi wo churra rahul ke pair mein dhans gaya. hanste hue manoj ne rahul ke chehre ki taraf dekha par ussko uss chehre par dard ki bajaye ghrina aur gusse ka bhaav dikha. rahul ne apna chaaku waala haath upar uthaya aur tezi se manoj ke chehre ke side par le kar aaya aur agle hi pal manoj ka daaya kaan zameen pe pada thha. khoon ki nadi ko behta dekh aur dard se manoj ka cheekh cheekh kar bura haal thha. shayad dard se zyaada ab usse darr lagne laga thha ke aage kya hone wala hai. Rahul ne uss churre ke handle se manoj ke sar par 3-4 zor se prahar kiye aur manoj ki aankhon ke saamne andhera chaane laga.



Jab 2 jhannatedaar thappad manoj ke muh par pade to ussko hosh aaya. jab usski aankhein wahan ki roshni mein dekhne ke kaabil hui to ussne dekha ke rahul ek injection mein kuch bhar raha hai. Agar wo kaafi nahi thha to jo ussne aage dekha, wo to usski dhadkanein rokne waali cheez thhi. wo bilkul nanga thha aur dono haath aur pairon se 2 khambo pe bandha hua thha. jitne usske ghaav thhe, sab ko saaf kar ke unpe patti baandh di gayi thhi aur ab usska khoon nahi beh raha thha. isse pehle ke wo soch pata ke chal kya raha hai, rahul ne usske paas aa kar ussko injection laga diya. usske hosh udd gaye aur wo cheekha, “abe saale kutte.. yeh kya kar raha hai... kya daal diya mere andar” itna kehna hi thha ke rahul ke haath se fir ek chaanta usske muh par laga.



“chinta mat kar. yeh tujhe maarega nahi, ulta teri dhadkanein itni tez kar dega ke tu behosh na ho paye. jo main tere saath karne waala hoon. usske liye tujhe apne hosh mein hi rehna padega. ab dhyaan se sun. tune jitne sawaal poochne thhe, tu pooch chuka hai. ab main sawaal poochunga aur tu sirf jawaab dega... sahi jawaab... agar ek bhi galat jawaab diya, to teri ek ungali kategi. ek galat jawaab ka harzaana ek ungali” rahul ne kaha aur apne bag mein se supari kaatne waala auzaar nikal liya. Ussko dekh kar wo manoj, jisske naam se log kaanpte thhe, khud kaanpne lag gaya thha. “ummed karta hoon ke jo maine bola hai wo tujhe samajh aa hi gaya hoga” rahul ne kaha jisspar Raghu apni mundi haan ke ishaare mein hilaane laga. “chal ab yeh bata ke meri patni ka shareer kahan hai?”



“mujhe kuch nahi pata. uss aadmi ne paison ka bag salim ko de diya thha aur wo bad jismein tumhaari patni ke shareer ke tukde thhe, wo apne saath le gaya thha. salim ne mujhe paise diye aur main wahan se chala gaya”



“wo kaun hai aur ussne mere saath aisa kyun kiya”



“mujhe kuch nahi pata. mera vishwaas karo. humaare underworld mein ek hi shart hai ke jab bhi koi aadmi kisi kaam ke liye paisa de raha ho to usse koi sawaal nahi karna. paisa lo aur kaam karo. mujhe mera paisa mil gaya aur yeh mere liye bahut thha.”



“to isska matlab tu mujhe aur kuch nahi bata sakta??”



“mujhe bas itna pata hai ke ussne Salim ko bahut paise diye thhe. kyunki Salim ne mujhe 25 lakh rupaye de diye thhe aur kuch din baad humse poochna bhi aaya thha ke sab sahi hai ya nahin. wo hamesha humein hukm hi deta hai aur aisa bartaav mujhe thoda ajeeb laga thha. mera vishwas karo, maine sab kuch bata diya hai tumhein theek theek”



“ab jab tumne meri itni madat kari hai to isska inaam to tumhein milna hi chahiye na.” rahul ne kaha aur manoj ke haath ki ek ungali kaat di. Manoj cheekhta raha aur maafi ki bheek maangta raha lekin Rahul ne usski ek na suni. dheere dheere ussne manoj ke haath aur pair ke saari ungaliyan kaat di. dard se manoj behaal ho raha thha aur poora vatavaran usski cheekhon se goonj raha thha. fir Rahul ne bag se ek hathoda nikaala aur dheere dheere manoj ka ek ek daant bahar nikalne laga. tap-tap ki awaaz ke saath ek ek kar ke daant aur khoon manoj ke muh se nikal kar neeche zameen par gir rahe thhe. manoj dard mein itna chilla raha thha ke kisi paththar dil jaanwar ko bhi usspar daya aa jati lekin rahul ke upar yeh cheekhein bilkul asar nahi kar rahi thhi. usske baad rahul ne manoj ke saare shareer par chhote chaaku se ghaav banana shuru kiya aur fir unpe namak ragadne lag gaya. manoj ka dard mein chilla chilla kar bura haal thha. wo chahta thha ke ussko maut aaye lekin maut bhi saali nakhre dikha rahi thhi. rahul ne wo ghaav itne gehre nahi banaye thhe ke manoj ki jaan ko khatra ho. wo chahta thha ke 1000 mauton ki sazaa manoj ko de. “ab main tujhe tera aakhri tohfa dene waala hoon manoj. tujhe gaand maarne ka bada shauk hai. aaj main teri gaand hi phaadunga”



paas mein hi bhatti mein ek lohe ki salakh issi cheez ke liye garam ho rahi thhi. rahul ne uss ke ek ore kapde lapet kar aur gloves pehen kar usse utha liya aur manoj ke peeche jaa kar khada ho gaya. Dheere dheere wo sariya manoj ki pichwadi mein ghusne laga. manoj ka cheekh cheekh ke bura haal ho raha thha. jaise jaise woh sariya andar ghus raha thha, garmi se manoj ke ang pighalne lag gaye thhe. thodi der mein usse aise laga ke usske shareer ke andar hi aag lag gayi ho. itna dard ho raha thha ke uss se saha nahi jaa raha thha. dheere dheere wo salakh usske saare angon ko ke beech se hota hua, usske dimag tak pahunch gaya. “main tujhe bad dua deta hoon aramzade ke narak mein tu isse bhi zyaada dard bhogega” rahul ne kaha aur usski laash par thook diya. Ussne fir majid ko awaaz lagayi jo darwaaze ke bahar khada saara nazaara sun raha thha lekin jab wo andar aaya to uss bhayankar drishya ko dekh kar usska bhi paseena nikal gaya. laash ki aisi haalat dekh kar kuch hi palon mein usski bhi ultiyan hone lagi.



“Rahul tum jao, main iss laash ko thikaane laga dunga” majid ne kaha aur usske aadmi fatafat kaam mein lag gaye.



Rahul ghar aaya aur apne saare zakhmon ki marham patti karne laga. fir wo apne bathroom mein gaya aur apna muh dhone laga. jab ussne apne chehre ko sheeshe mein dekha to ussko saamne 2 Rahul dikh rahe thhe. ek bahut hi zyaada dukhi thha iss sab khoon kharabe se aur doosra pagalon waali hansi hans raha thha chehre par vehshiyat ke bhaav le kar. Rahul ko samajh nahi aa raha thha ke kaun sa pratibim usska hai – jo dukhi thha kyunki ussne zindagi mein sab kuch kho diya thha ya wo jo jaanwaron jaise hans raha thha kyunki ussko doosre logon ko tadpane aur maarne mein mazaa aata thha

______________________________
 
Newbie
17
1
0
Update 6
----------
Ek baar Rahul Salim ki bulayi jagah par pahunch gaya to usse mehsoos hone laga ke kuch to gadbad hai. Aas paas koi nahi khada thha aur darwaaza bhi khula hua thha. par Rahul ko pata thha ke wo itni aage aa chuka hai jahan se peeche mudna sambhav nahi thha. Ussko pata thha ke agar wo uss imaarat ke andar ghus gaya to shayad usska zinda waapas aana namumkin hai. fir bhi usne darwaza khola aur andar ghus gaya. usse pata thha ke iss imarat ko bana rahe builder ki berehami se Salim ne hatya kar di thhi kyunki ussne hafta dene se mana kiya thha. ussko salim ne aisi dardanaak maut di thhi ke saara underwolrd kaanp utha thha. usske baad salim ne ussi building ko apna adda banane ka thaan liya thha. Jab Rahul teesri manzil tak pahuncha to usski saari aashankayein door ho gayi. Saamne hi Salim baitha thha apne gang ke 15-16 aadmiyon ke saath. Har kisi ke haath mein koi na kuch na kuch thha jissko wo taane khade thhe. chaaku, hockey, chain, bats – in sab ko le kar wo rahul ki dhunayi karne ko ekdum tayaar khade thhe. Usko dekhte hi Salim zor zor se hasne laga. jab usski hasi band hui to ussne apne mehman ka swagat kiya aur kaha



“Sach bataun to mujhe pata nahi hai ke tu sach mein itna pagal hai ya tujhe marne ka bahut shauk hai. Maine socha thha ke tu bhaagne ki koshish karega aur main tujhe dhoondh ke tujhe kutte ki maut marunga. par tu to seedha yahan chala aaya. marne se pehle ek baat to bata... tujhe marne ka itna shuak kyun hai?”



“Aaj nahin to kal sab ko marna hi hai. to maut se door kyun bhaaga jayein? tujh jaise haramkhor bas apne lalach ko pura karne ke liye jeete hain. lekin meri zindagi ka sirf ek hi uddeshya reh gaya hai – jo tum logon ne meri biwi ke saath kiya, usska badla lena. 2 ko to main ludka chuka hoon. ab teri baari hai” usne kaha aur apne bag mein se do kasaiyon waale chaaku nikal liye – ek uska apna, aur ek jo ussne manoj ko maar ke liya thha. kyunki manoj ke chaaku se hi kalpana ki maut hui thhi, to Rahul ko ussi chaaku se badla lena bhi sahi laga. Salim ko Rahul ki aankhon mein darr dekhna thha. wo chaahta thha ke rahul usske saamne gidgidaye aur daya ki bheek maange jaise usske baaki saare shikaar maangte thhe. lekin gidgidaana to door, ussko rahul ki aankhon mein darr ki ek jhalak bhi nahi dikh rahi thhi. isse salim ko aur adhik gussa aane laga.



“Saale tujhe kya lagta hai ke tu Manoj se baat kar raha hai? tu bhool gaya ke maine teri biwi ke saath kya kiya thha? uss din maine tujhe uss aadmi ke kehne pe chhod diya thha. lekin aaj tujhe mujhse bhagwaan bhi nahi bacha sakta. “ ussne kaha aur apne aadmiyon ki taraf dekhte hue kaha “usski shakal kya dekh rahe ho? aage badho aur usske shareer ki har haddi ko tod do” sab log aage badhe aur kuch hi palon mein wahan khoon ki nadi behne lagi.



Sab log thithak ke wahin ruk gaye jab unhone dekha ke unke ek saathi ka sar phatt gaya hai aur chaaron ore khoon ke cheente bikhar gaye hain. isse pehle wo kuch aur samajh paate, dheere dheere aur logon ke sar phootne lage aur afratafri mach gayi. koi chup ke unke sar par sniper rifle se goliyan chala raha thha. Sab idhar udhar bhaag rahe thhe aur issi ka faayda utha kar rahul haath mein pakde chaaku chalane laga. Poora mahaul un gundon ki cheekhon se goonjne laga. agar koi goliyon se bach jaata to rahul ke chaaku se na bach pata. kuch hi palon mein chaaron ore laasho aur kate hue angon ka ambaar lag gaya aur khoon ki nadi behne lagi. Salim butt bana hua sab kuch apni kursi par baitha dekh raha thha. Salim ne apni zindagi mein bahut logon ko marte hue dekha thha – goliyon se bhi aru chaaku se bhi. lekin jaisa uss ke saamne aaj ho raha thha, wo usska bhi dil dehla dene waala thha. usske saare aadmi mar chuke thhe aur uss ke saamne mein khoon, kate hue angon aur laashon ke siwa kuch nahi thha. yahan tak ki deewarein bhi khoon ke rang ki tarah surakh lal ho gayi thhi. Salim ki Rahul ko dekh kar to phatt ke muh mein aa gayi. apni aankhon mein aag le kar rahul salim ko aise ghoor raha thha jaise usse jala hi dega. usska poora shareer khoon ke cheento se bhara hua thha aur thoda sa khoon usske haathon se bhi beh raha thha. Aisa lag raha thha jaise rahul abhi khoon se naha ke aaya ho. Wo wahan neeche padi laashon ke upar se chalta hua salim tak pahunch gaya jo ke ek sookhe patte ki tarah kaanp raha thha.



“please mujhe maaf kar do. main khud ko police ke hawaale kar dunga. main sab jaanta hoon ke kaun sa rajneta kiss gala kaam ko karta hai. sab cheezon ka proof hai mere paas. aaj tak mein jitne galat kaam kiye hain aur jitne logon ne mera saath diya hai, main un sab ko bhi pakkadwa dunga. main sab ko pakadwa dunga.. bas mujhe jaane” usska itna hi kehna thha ke rahul ne usska kaan kaat diya. Salim dard ke maare chillaye jaa rahe thha aur khoon rukne ka naam hi nahi le raha thha.



“Un logon se mujhe koi lena dena nahin hai. mujhe bas yeh bata ke wo aadmi kaun thha jissne tum logon se yeh kaam karwaya thha. ek baat yaad rakhna ke tere paas ab sirf ek hi kaan bacha hai aur main apne kaan faaltu ki baaton se pakana nahi chahta”



“nahin nahin.. main sab kuch batata hoon... mera yakeen karo ke mujhe uss aadmi ke baare mein kuch nahi pata hai. usski sabse pehli shart yeh hi thhi ke main usska peecha na karun aur na hi usse koi sawaal poochun. ussne mujhe itna paisa diya thha ke main in sharton pe inkaar nahi akr sakta. mujhe sach mein nahin malum ke wo aadmi kaun hai”





“Fir to tu mere kisi kaam nahi hai. ab wo samay aa gaya hai jab tu apne paapon ka hisaab chukta karega” Rahul ne kaha aur salim ka daya haath zameen pe rakh kar ussne ek hi vaar mein saari ungliyan kaat di.



“please ruko.. ruko.. mere paas tumhaare liye kuch hai.” salim ne kaha aur apni jeb se ek lifaafa nikal kar rahul ko thama diya. rahul ne wo lifafa khola to andar se ek chithi nikli. “ussne mujhe bola thha ke agar tum mujhe maarne waale hoge to main tumhein yeh chithi de dun to meri zindagi baksh di jayegi” rahul ne uss chithi ko padhna shuru kiya



“to tum ne un sab ko maar hi diya !! bahut achche... mujhe yeh kehte hue zara bhi jhijhak nahi ho rahi ke maine jitna socha thha, tum usse kahin zyaada chalaak nikle. par tum to hamesha se hi ek nirdayi jaanwar thhe... hai na?? chalo chhodo... agar tum abhi bhi soch rahe ho ke wo kaun thha jisne tumhaari madat kari aur tumhaari jaan bachayi, to main tumhein bata deta hoon ke wo main hi thha. main tumhein marrte hue nahi dekhna chahta thha. tumhein maarna hota to main ussi din maar deta, itna intezaar kyun karta ?mujhe pata hai ke tum mujhse milne ko betaab ho aur yakeen maano utni hi betaabi mere andar bhi hai. main apna pata iss chithi ke peeche likh raha hoon. kal tumse wahin mulaqat hogi. aaj aa ke apna samay barbaad mat karna kyunki main tumhein wahan nahi milunga. Ek baar jab tum iss gadhe ko maar do, to ghar jaa kar thoda aaram kar lena. humaari kal ki mulaqat ke liye tumhein apni saari taaqat ki zarurat padegi. humaari kal ki mulaqat ek etihaasik mulaqat hogi – ek mulaqat jismein 2 jaanwar, 2 khooni, 2 bechain aatmayein aapas mein milengi. sach mein hum dono ke beech kitni samantayein hain. kal ke liye best of luck” aur neeche ek pata likha hua thha. Rahul ne uss chithi ko apni jeb mein daal liya.



“kya likha hua thha uss chithi mein... tum mujhe chhod doge na...” salim ne kaanpti awaaz mein poocha



“iss chithi ke hisaab se to tumhaara khel khatam ho chuka hai.” rahul ne kaha aur apne chaaku se salim ke baayein haath ki bhi ungliyan ek jhatke mein kaat di. Fir dheere dheere Rahul ne usske dono haathon aur pairon ko bhi kaat diya. poora mahaul bas salim ki cheekhon se goonj raha thha. itna dard sehne ke bawajood salim ekaek pagalon ki tarah hasne lag gaya. “has kyun raha hai ab” rahul ne poocha



“tujhe to mera shukrguzaar hona chahiye ke maine teri item ko marne se pehle jannat ki sair karayi” wo bolo aur waapas hasne lag gaya.



“tujhe bahut hasii aa rahi hai na... le main teri hasii ko aur badhaa deta hoon” Rahul ne kaha aur apne dono haath Salim ke muh mein daal ke usska chehra phaadne laga. kuch hi palon mein usske chehre ki skin chilne lagi aur usmein se bhi khoon nikalne laga. achanak se hi usske jabde ke 2 tukde ho gaye. itna dard wo bardaasht nahi akr paaya aur ussne dam tod diya.



thodi der ke baad jab rahul apne ghar mein naha ke nikla aur ussne apna chehra sheeshe mein dekha to ussko ek hi chehra dikha – ek khooni jaanwar ka chehra jo pagalon ki tarah has raha thha.

______________________________
 
Newbie
17
1
0
Update 7
-----------

Rahul ko koyi hairaini nahi hui ke wo aadmi jissne usski zindagi tabah kar di thi shehar ki sabse keemti kothiyon mein se ek mein rehta tha. Jab wo apni niyati se milne ja raha tha to usske dimagh mein sawaal paida hone lage. Ussne usske saath aisa kyon kiya? Ussne ussey zinda kyon rehne diya, jab wo uss se itni nafrat karta tha? Ussne kal usski jaan kyon bachayi? Phir usska dimagh usski patni Kalpana ki taraf chal diya to jaldi hi nafrat usski jigyasa par haavi ho gayi. Ussne apne aap se kaha, "Wo jo bhi hai aur chahey kissi bhi

kaaran se ussne merey saath aisa kiya ho, main ussey bhi utni hi peeda doonga jitni ussne mujhe di thi." Kothi ke gate par khade chowkidaar ne usse andar jaane diya aur bataya ke Mr.X usska intezaar kar rahey hain. "To wo sabse apni assli pehchaan chhupa raha hai.......badhiya." Rahul aisa soche bina na reh saka. Rahul jab ghar mein ghussa to ussne jaldi hi jaan liya ki ghar mein aur koyi bhi nahi hai. Ghar andar se aur bhi khoobsoorti se susajjit tha. Aakhir ghar ki teesri manzil par ussne Mr.X ko baithak mein ek sofe par baithe huey paaya.



Mr.X: "Jisski maine rachna ki thi wo jaanwar aakhir phir meri aankhon ke saamne hai. Tum bahut garvaanvit mehsoos kar rahey hoge. Aakhir itna aasaan nahi hota apne rachayita se milna."



Rahul: "Bakwas mat karo ab. Iss se pehle ke jaanwar tumhaare tukde-tukde karde, bataao ke mere saath tumne aisa kyon kiya? Mujhe ussi din maar kyon na diya tumne? Jawaab de kutte?



Mr.X: "Tumhaari sthiti itni dayaneeya hai ke mujhe ghrina hoti hai. Apne garv aur apne pyar ko to tum kho chuke ho. Meri achhi tarah se gini hui chand saanso ke siwa tumhaare paas raha hi kya hai aur tum unhein bhi kyon khona chahte ho? Chhod do sab to shayad main bhi tumhaari bachi hui narak samaan zindagi ko bakhsh sakta hoon."



Rahul: Tum moorkh to agar ye sochte ho ki hamaare beech sab khatam ho gaya hai. Tumne ye sab shuru kiya tha par khatam main karoonga jab tumhara kaleja cheer kar tumhaare saans lete-lete main ussey kha jaaoonga.



Mr.X: Achha muqabla karne waale ka shikaar karne mein hi mazaa aata hai. Tumhaare bas mein jo hai wo kar lo. Hum dono mein se kewal ek hi jeet sakta hai aur tumhaare paas to jeet ka koyi kaaran bhi nahi bacha. Doosri taraf nateeja chahey kuchh bhi ho jeet meri hi hogi, balki sachayi mein dekha jaaye to main jeet bhi chuka hoon."



Rahul chillaya: "Kaaran batao????? Iss se pehle ke main tumhein maar doon main jaan na chahta hoon ke tumne mere saath aisa kyon kiya? Maine tumhaara kya bigada tha?"



Mr.X: "Ye hai laakh rupaye ka sawaal, hai na? Par mujhe khed hai ki tumko isska jawaab khud hi dhoondhna hoga. Tum chaho to abhi mujhe maar sakte ho par taa-umr tumhein isska jawaab nahi milega. Kaaran mere saath hi chala jaayega."



Rahul: "Bahut khel chuke tum. Kutiya ke bacche bata tune aisa kyon kiya. Tu kaise keh sakta hai ki jo tune kiya wo uchit tha."



Mr.X: "Uchit? Koyi bhi apne paapon ko uchit nahi keh sakta. Mera vishwas karo tum bhi utne hi paapi ho jitna main. Hum dono narak ki aag mein sadenge. Mere paas kam se kam kaaran to tha, tum to apne liye wo bhi nahi keh sakte. Main tumhein phir wahi ishaara doonga jo maine pichhli baar diya tha aur shayad iss baar tum mujhe dhoondhne ki bekaar koshish ki jagah kaaran dhoondhne mein apna waqt lagaoge. Yaad rakho chahe ret ho ya patthar, dono paani mein ek samaan doobte hain. Kewal ek baat yaad rakho, agar tumne kaaran jaan bhi liya to tumhara jeena pehle se bhi durbhar ho jaayega. Issliye behtar yahi hai ke ab mujhe maar kar apni badle ki pyas bujha lo, kaun jaane shayad tum phir se ek samaanya jeevan jee sako."



Rahul: "Gandi naali ke keede, main tujhse koyi salah nahi maang raha. Kaunsi zindagi baat kar rahey ho, jo tum barbad kar chuke ho? Jitni buri ye ho chuki hai uss se bhi buri kaise ho sakti hai. Main maut se bhi buri zindagi jee raha hoon. Police mein rehte maine burey se burey charitra dekhe hain par unnmein se koyi tumhaare paasgo bhi nahi hai, jo toone kiya wo neechta ki hadd hai. Agar mujhse itni hi nafrat thi to mujhe bhi maar kyon na diya. Kalpana ne aisa kya kiya tha aur mere bete ka kya jo paida bhi nahi hua tha. KYON KYON KYON?????????????" Phir ussne itni zor se ghoonsa mara ke



Mr.X farsh par gir gaya. Usska ooper ka hont phat gaya aur ussmein se khoon behne laga. Dheere-Dheere wo khada ho gaya.



Mr.X: "Chinta na karo main tumhein kuchh nahi kahoonga. Yadi main chahta to tum aaj yahaan na khade hotey. Jahan tak tumhaare sawaalo ki baat hai, main jaanta hoon ke maine tumhaare saath bahut bura kiya hai to wo sab tumhaari hi vajah se. Mahatma mat bano. Tum akele nahi ho jissne apna sab kuchh khoya hai. Main bhi sirf tumhaari badaulat apna sab kuchh kho chuka hoon. Agar tum badle ke liye jee rahey ho to jaise kuttey tum ho vaise hi main bhi tumhein tadapta hua dekhne ke liye jee raha hoon. Haan tumhari patni aur beta usske laayak nahin thhe jo unhein mila par tum unnke laayak ya apni zindagi mein koyi bhi khushi paane ke laayak nahi ho. Waise bhi tumhein ye sab bataane ka koyi auchitya nahi hai. Aisa nahi hai ki tumhein kabhi bhi doosron ki koyi parwah rahi hai. Tum issey khatam karna chahte ho? Mujhe koyi fark nahi padta lekin ab tumhaare paas kewal 2 vikalp hain. Ya to tum mujhe abhi maar ke apni patni ke qatl ka bala le lo ya main tumhein ek sanket aur 48 ghante deta hoon aur tum pata laga lo ke maine tumhaare saath aisa kyon kiya. Chinta mat karo main kahin nahi bhaagoonga. Agar main chahta to tum mujhe kabhi nahi dhoondh saktey thhe. Mushkil sirf ye hai ki agar tum 48 ghante mein ye pata nahi laga sakey to tum mujhe kabhi nahi paa sakoge. Phir kaise khatam karna chahte ho issey"



Rahul kuchh kshan chup rahkar uss haraami ke kathan par vichaar karta raha. Aakhir mein usski jigyasa uss par haavi ho gayi.



Rahul: "Jab maine itna intezaar kiya hai to kuchh ghante aur sahi. Kya sanket hai?"



Mr.X: "Wo, mera naam hai. Mera asli naam Viduy Singhania hai. Kya tumhein Singhania naam se kuchh yaad aaya? Yaad hai Priya Singhania? Mujhe poora vishwas hai ke tum ussey nahi bhoole honge. Ab mujhe maaf karna mujhe kahi jaana hai." Ye kehkar wo kamre se baahar chala gaya. Lekin Rahul aise awaak khada raha jaise ussey lakwa maar gaya ho..........

______________________________
 
Newbie
17
1
0
Chapter 3 - JEENE KA HAQ
Update 1
-----------

Hamaara mastishk bade rahasyamayi tareeke se chalta hai. Hum sabne kabhi na kabhi kissi baat ke pehle ghatit na huey hone ke baad bhi uss ke ghatne ka abhaas kiya hoga. Ye abhi tak ek rahasya hai ki aisa kyon hota hai. Mastishk ke baare mein aisa hona hi ajeeb nahi hai balki ye bhi utna hi adbhut hai ki ham apne mastishk ke andhere kone mein apni napasand yaadein chhupa dete hain aur bhool jaate hain ki kabhi aisa hua bhi tha. Rahul ne bhi Priya naamak apni zindagi ke adhyaye ko aise hi kissi andhere kone mein dafan kar ke samay ke saath jeena seekh liya tha. Hum kitna bhi tez bhaag lein par apne bhagya se aage nahi ja sakte. Aur aisa hi Rahul ke saath bhi hua. Beete huey samay ke kaale saaye aakhir ussey gher chuke thhe aur aankhon mein aansu-o'n ke saath ek naam usski zabaan par aaya, "Priya..........."



Ye kewal kuchh saal pehle hi hua tha par lagta tha ke kissi aur hi janam mein aisa hua tha. Usski naukri, Kalpana aur phir usski maa ki maut, sab kuchh Priya ke jaane ke kayi saal baad huey thhe par Priya ko bhulana aasaan nahi tha. Apne pehle pyar ko kaun bhool sakta hai? Wo aur naujawaanon se alag tha. Aisa usske pita aur unnke uss sapne ke kaaran tha jo unhonein usske apni tarah ek policewala ban ne ke baare mein socha tha aur jisske baare mein tatha apni zindagi ke uddeshya ke baare mein usska dhyan shuru se kendrit tha. Aur usski lagatar ki gayi mehnat ka hi nateeja tha ki ussey desh ke sheersh mahavidyalay mein ussey daakhila mila tha. Wahin ussne ussey dekha aur apna dil de baitha aur saath hi apna police mein jaane ka sapna bhi.



5' 8" ki gori aur dubli hotey huey bhi usski badi-badi bhari hui chhatiyaan theen aur chehra aisa ki mar mitne ko jee chahey. Bahut jaldi usske police mein jaane ke sapne ki jagah le li uss pari se shadi karne ke sapne ne. Pehli nazar mein pyar tha ye aur jaisi ki kahawat hai, pyar karne waale se bada moorkh koyi nahi hota.



Kuchh din ke baad jaise hi usske hawaas durust huey ussne usske baare mein jaankaari ikatthi karni shuru ki. Usska parivaar kuchh samay pehle hi Bharat lauta tha. Usske pita ne videsh mein ek IT company mein kaam karte kaafi dhan arjit kiya tha aur ab waapis Bharat mein aakar apni IT company banaane ka nirnaye liya tha. Usske anubhav aur jaan pehchaan jo ussne videsh mein rehte banayi thi, ke chalte usski company ne jaldi hi IT ke kshetra mein apna sthaan bana liya. Dil se Priya ke pita ek bhartiya hi thhe aur nahi chahte thhe ke wo aur unnke pacche apna parivesh bhool kar bahya sanskriti mein doob kar apni sanskriti ko bhool jaayein aur ussi ke aur apne Bharat prem ke chalte unhone Bharat waapis aane ka faisla kiya tha. Priya ki maa ek gharelu aurat hai aur usska ek chhota bhai bhi hai. Usske parivaar ke baare mein wo itna hi jaan paaya tha. Vaise bhi usske kareeb hone ke liye usske

parivaar ki jagah usske khud ke baare mein jaankaari hona zyada zaroori tha. Wo bahut samajhdar tha aur jaldi hi ussne Priya ki pasand aur napasand ko samajhna shuru kar diya.



Priya ki mitra mandali mein shaamil hona kuchh zyada mushkil nahi tha kyonki Priya ki sabse achhi dost usske pados mein rehti thi. Ek baar Priya ka dost ban jaane ke baad wo apni jaankaari ke boote usske aur nazdeek hota gaya. Wo hamesha usska dhyaan rakhta aur ussko khush karne ka har sambhav prayatna karta rehta. Priya ne bhi usske saamipya aur atirikta dhyaan ka anand lena shuru kar diya jo ussey ghar par nahi mil raha tha. Usske pita vaise bhi apne naye vyapaar mein vyast thhe aur usspar zyada hi sakht thhe. Usski maa bhi apni kitty partiyon aur naukaron ko aadesh deney mein hi vyast rehti thi. Haan, hairani ye thi ke usska chhota bhai ussey bahut pyar karta tha par bahut chhota hone ke kaaran usska dost nahi ban sakta tha. Rahul ke saath aisa kuchh nahi tha aur wo aisa dost saabit ho raha tha jisski ussey hamesha se chah thi. Wo uss waqt nahi jaanti thi ke Rahul usske liye

dost se kuchh zyada hona chahta tha. Dono ki zindagiyaan ulat pulat ho gayi jab ussne Priya ko apne dil ki asli baat bataayi.



Unhein dost baney kuchh mahine ho chuke thhe aur jitna adhik samay wo usske saath bitaata tha utna hi usske dil mein usske liye pyar badhta jaata tha. Usski soorat, usski chaal-dhaal, usski khushboo aur usske aane se jaise sab taraf raunaq ho jaati thi sab usse bahut mohit karta tha. Usska janamdin aa raha tha agle mahine

aur ussne socha ki ussdin wo ussey apne dil ka haal khol ke suna dega. Ussne paise jodne shuru kiye par phir bhi itne nahi jod paaya ke usske liye koyi achha sa upyukt uphaar khareed sakey. Ussne zindagi mein pehli baar apne pita se paise maange aur ussey bahut khushi hui ke ussey mil bhi gaye. Aakhir ussne usske liye ek chaandi ka haar khareeda. Usske janamdin par wo ussey ekant mein doston se door le jaane mein safal bhi ho gaya aur ussey uphaar deney ke baad apne pyar ka izhaar karne laga.



Rahul: "Priya main itni der se tumhein kuchh kehna chahta hoon aur agar ab

bhi na keh paya to mujhe dar hai ki main mar hi na jaaoon."



Priya: "Kya Rahul, tumne mujhe pehle hi kyon nahi bataya? Hum dost hain aur dost ek doosre se kuchh nahi chhupaate hain."



Rahul: "Itna aasaan nahi hai iss tarah ki bhavnaaon ko kabool karna par ab

mujhe karna hi padega. Priya main tumhein pyar karta hoon aur tumhein pehli baar dekhte hi mujhe tumse pyar ho gaya tha. Mujhe batao ke kya tum bhi merey baare mein aisa hi sochti ho?" Wo awaak reh gayi ye sunkar. Wo kuchh bhi jawab dene se pehle kayi palon ke liye chup rahi.



Priya: "Mujhe afsos hai Rahul lekin maine kabhi tumhaare baare mein iss tarah socha hi nahi. Maine hamesha tumhein ek achhe dost ki tarah ya shayad bhai ki tarah hi dekha hai. Sach mein tum mere sabse achhe dost ho. Meharbaani karke hamein achhe dost hi rehne do. Main abhi apna sabse achha dost khona nahi chahti. Shayad achha hoga ke main yahaan se chali jaaoon. Tum party mein aa rahey ho na? Hum baad mein baat kar sakte hain."



Wo usski baaton se bahut asahaj ho rahi thi aur jaldi se ye sab kehkar wahan se chali gayi. Ghabrahat mein ussne uphaar mein mila haar bhi wahin gira diya. Zindagi mein pehli baar usska dil toota tha. Aansoo se bhari aankhon se ussne zameen par gira wo haar utha liya.



Baad mein cake kaatne ke time par Priya ne dekha ki usska sabse achha dost usski party mein nahi tha. Doosri taraf uss raat Rahul takiye mein sar de ke ghanton rota raha. Jab aansoo rukey to usske dukh ki jagah usske gusse ne le li aur ussne apne aap mein socha," Wo mera dil iss tarah kaise tod sakti hai? Theek hai kutiya agar tumhein meri bhavnaaon ki parwaah nahi hai to main achhi tarah tumehin doosron ki

bhavnaaon se khlene ki saza doonga."..............

______________________________
 
Newbie
17
1
0
Update 2
---------
Ek baar kissi ke dimaagh mein paap ka beej ronp diya jaaye to koyi chamatkaar hi ussey paap karm se bacha sakta hai. Yadi Rahul ne apne samaanya gyan ka istemaal kiya hota to ussey pata chalta ki Priya ne kuchh bhi ghalat nahi kiya tha. Ektarafa pyar aksar issi tarah dil ke tootne ka kaaran ban jaata hai parantu jaise ki kaha jaata hai ki samaanya gyan aisa gyan hai jo samaanyataya nahi paaya jaata. Wo apne sapnon ke tootne ka dard aur dukh mehsoos kar raha tha.

Yadi Priya ke liye usska pyar saccha hota to wo usske sukhi rehkar shaant jeevan ki kaamna karke apni zindagi jeene ki cheshta karta. Avashya ye usske dukh ko uss samay to kam na karta par aise ghaav to samay se hi bharte hain. Usski nazaron mein wo aisi shaitaan thi jissne ussey apne prem-jaal mein phansakar usska dil toda tha. Ussne ghrina se thooka aur socha, "Shayad ye ussne koyi shart jeetne ke liye kiya ya ye ameerzaadiyaan karti hi aisa hain taaki hamaari zindagi ko bure se bura bana sakein aur hamaari peeth peeche ye sab suna kar mazey le sakein." Wo ladki jisske saath wo kuchh din pehle tak apna poora jeevan bitaane ki soch raha tha ab ussey shaitan ke roop mein nazar aa rahi thi.


"Chinta na kar Raajkumari, main tujhe aisa paath padhaoonga ke tum kabhi nahi bhool sakogi. Tum uss din ko kosogi jab tumne mere saath aisi ghinauni harkat karne ki sochi." Rahul ne Priya ke liye ek aashcharya ki yojna banayi aur wo achhi nahi thi.



Ussne aise vyavhaar karna shuru kiya jaise unn dono ke beech kuchh hua hi nahi hai. Yahan tak ki Priya bhi raahat mesoos kar rahi thi. Wo apna sabse achha dost nahi khona chahti thi. "Wo uss se ubar gaya hai. Shayad ye ek chah ke atirikt kuchh nahi tha. Mujhe asha hai ki wo ek din kissi khaas ko paa lega." Ussne socha aur bhagwaan se usske liye prarthana bhi ki.


Kuchh din baad usske kissi dost ke ghar party thi. Rahul ne Priya se poochha ke kya wo usske saath chalegi? Wo maan gayi. Rahul ussey apni bike par apne dost ke ghar le gaya. Jab wo wahaan pahunche to wo ye jaankar hairaan reh gayi ke wahaan par aur koyi bhi nahi tha aur uss ghar ki chaabi Rahul ke paas thi.


Priya: "Rahul sab log kahaan hain?"


Rahul: "Oh main tumhein batana bhool gaya ki wo kissi zaroori kaam se gaya hai aur thodi der mein aa jaayega. Ussne mujhe kaha ke main thoda jaldi aa kar usske mehmaanon ka swaagat karoon. Party shuru kar doon aur wo jitni jaldi ho sakega aa jaayega.


Priya: "OK."


Rahul: "Main tumhaare liye kuchh peene ko laata hoon, aur log bhi aate hi honge," kehte huey rasoi ghar ki taraf chala gaya. Priya ko kuchh atpata lag raha tha par wo taye nahi kar paa rahi thi ke kya hai. Kuchh hi samay mein ussne dekha ki rahul kuchh peene ke liye le aaya tha. Unhonein apna apna gilaas uthaaya aur peene lagey. Wo baatein bhi karte jaa rahey thhe. Apna gilaas khali karne ke kuchh hi samay baad wo khud ko neend se bhara hua mehsoos karne lagi.


Priya: "Rahul.........Pata nahi mujhe kya ho raha hai? Mujhe chakkar aa rahey hain.


Rahul: "Tum thak gayi lagti ho. Thehro main tumhaari sahayeta karta hoon." Agle kuchh pal ussko bahut ajeeb lagey. Ussne dekha ke Rahul ussey apni baahon mein utha kar ek kamre mein laya. Sab kuchh jaise dheemi gati se ho raha tha.Phir wo ek bistar par thi aur Rahul usske kapde utaar raha tha. Sheetal peya mein di gayi nasheeli vastu ke kaaran wo tez nashey mein thi.


Priya: "Tum........ye.......kya.......kar........rahey.........ho?"


Rahul: "Priye tum sheeghra jaan logi." Ussne Priya ki pant utaarte huey kaha. Kuchh hi kshanon mein wo poori tarah nangi wahaan padi thi. Uss nashe ki haalat mein bhi wo samajh sakti thi ki kya ho raha hai. Ussk aankhon se aansoo girne lagey. Rahul bhi nanga ho gaya tha aur usski yoni par apne haath se kuchh laga raha tha. Yadi wo nashe ki haalat mein na hoti to ussey avashya pata chalta ki usski yoni par wo tel laga raha tha. Phir apne taney huey ling par bhi tel lagakar ussne ling Priya ki yoni se laga diya. Kissi tarah behti aankhon ke saath ussne Rahul ko rukne ki vinati ki.



Priya: "Meharbaani karke aisa mat karo. Tum kabhi apne aap ko maaf nahi kar sakoge. Rahul suno.............. AHHHHHHHHHHHH." Usski kumaari jhilli phat chuki thi aur wo kunwaari nahi rahi thi. Nashe ki haalat mein bhi usse dard mehsoos hua. Jiss par wo duniya mein sabse adhik vishwas karti thi, ye peeda uss mitra dwara kiye jaa rahe shareerik aur maansik blaatkaar ki thi.



Jaise hi Rahul ne usske saath sambhog shuru kiya usski yoni se rakta sraav shuru ho gaya. Wo ussey kutiya, randi jaise gande naamon se pukaar raha tha. koyi ussey bachaane nahi aaya. Jo wo kar raha tha usske liye Rahul ki aankhon mein koyi sharam ya daya nahi thi. Wo vaisa Rahul bhi nahi lag raha tha jissey wo jaanti thi. Ek pashu usske ooper chadh kar apna ling usski yoni ke andar bahar kar raha tha. Ussne apna veerya Priya ki yoni mein hi nikaal diya aur jab usska ling dheela pad gaya to hi baahar nikala.

Nashey ka prabhaav abhi poori tarah nahi gaya tha. Wo ussi tarah sharam mein doobi ussi kamre mein leti rahi jab wo kamre se baahar gaya. Usski yoni mein naarkeeya peeda ho rahi thi. Aisa lag raha tha jaise kissi ne garam chaaku se ussey phaad diya ho. Ussey dahshat hui jab Rahul dobara kamre mein aaya aur usska ling ek baar phir tana hua tha. Doosri baar ke blaatkaar mein shayad pehle jitni peeda nahi thi parantu maansik aghaat pehle se adhik nahi to kam bhi nahi tha.


Kuchh ghante baad jab nashe ka prabhav khatam ho gaya to Rahul ne usse kuchh dard nivarak goliyaan khaane ko di jo ussne le li par usske saath jaane se inkaar kar diya. Bina usske kukarm ke baare mein ek bhi shabd boley wo wahaan se taxi karke chali gayi.


Wo antim baar thi jab Rahul ne ussey dekha tha. Jo kuchh bhi usske baad usske saath hua wo ek aisa rahasya tha jisske baare mein jaan ne ka ussne kabhi koyi prayaas nahi kiya. Wo to sirf khush tha ke ussko dubara kabhi bhi Priya ka saamna nahi karna pada.



Saalon baad phir ek shareer palang par pada tha aur aansoo ek nadhi ki tarah aankhon se beh rahey thhe. Usske ateet ke kaale saaye waapis aakar ussey pareshaan kar rahey thhe. "Kalpana, kripya mujhe maaf kardo. Mere paapon ka prayashchit tumne kiya. Tumhein iss tarah se nahi balki mujhe marna chahiye tha. Hey bhagwaan ye maine kya kiya? Ussne mujhe bhi kyon nahi maar diya? Kyon?" .....................
 
Newbie
17
1
0
Update 3
----------

Ye bilkul aisa tha jaise baaki ki duniya unn dono ke liye hai hi nahi. Dono aamne saamne khadey they. Aur kissi vastu ka unnke liye koyi mahatva nahi tha. Vidyut ne pehle chuppi ko toda.



Vidyut: "To tum 24 ghante se bhi pehle waapis aa gaye. Tumhein sab kuch samajh aur jaan lene mein adhik samay nahi laga."



Rahul: "Nahi main poorntaya samajh nahi paya hoon. Par kyon Vidyut KYON?Tumne Kalpana ke saath aisa kyon kiya? Wo kaise iss sab ki haqdaar thi?"



Vidyut: Nahi, parantu tum avashya thhe. Dard ka har wo pal jo tumne jiya tum usske haqdaar thhe. Jo tumne usske saath kiya, kya Priya usski haqdaar thi? BOLO?



Rahul: "Maine Priya ke saath jo kuchh kiya usske liye main apne aap par bahut sharminda hoon. Main ek jawaan bewakoof tha. Gussey se andhe hookar maine usske saath jo kuchh bhi kiya usske liye main apne aap ko kabhi bhi maaf nahi

kar sakoonga, parantu jis tarah tumne mere paap ki saza ke roop mein Kalpana ko takleef pahunchaayi, usske liye kya tum apne aap ko theek keh sakte ho?"



Vidut: "Hum dono hi apne karmon ko theek nahi keh sakte par kam se kam maine jo kiya wo Priya ka badla lene ke liye kiya. Tumne Priya ke saath kya kiya?"



Rahul: "Kya maine Priya ko maar daala? Tum Priya ka badla leney ki baat kaise keh sakte ho? Tumne to paida hone se pehle hi merey bacche ko maar daala." Ye kehte huey Rahul ki aankhon se aansoo girne lagey. Shayad abhi bhi uss shaitan ke andar ek dil dhadak raha tha.



Vidyut: "Yaad hai maine kya kaha tha? Chahe ret ka kan ho ya patthar, dono paani mein ek samaan doobte hain. Tumne to parwaah hi nahi ki ke Priya ka kya hua. Ki tumne?"



Rahul: "Nahi maine nahi ki. Mujhe apne anjaam ka dar tha ki ussne kissi ko mere kukarm ke baare mein bata diya to mera kya hoga. Jab mujhe apni ghalati ki gambheerta ka ehsaas hua to mujh mein sharam ke maare usska saamna karne ki himmat nahi thi."



Vidyut: "Chalo uss haalat mein main tumhein batat hoon ke Priya ke saath baad mein kya hua. Ussne kissi ko nahi bataya ke tumne usske saath kya kiya, lekin wo pehle jaisi nahi rahi. Uss din ke baad maine ussey muskuraate huey nahi dekha. Mujhe lagta hai ke uss din ke baad ussne kissi par bhi vishwas karna band kar diya tha. Usske sabhi doston ne bhi kuchh samay baad milne aana band kar diya kyonki wo kissi se baat hi nahi karti thi. Apne parivaar ke alawa wo kissi se bhi baat nahi karti thi aur wo bhi bahut kam hota tha. Dar mein jeena aasaan nahi hota aur wo aisa hi kar rahi thi aur aakhir usski himmat jawaab de gayi. Usska pankhey se lataka shareer main kabhi nahi bhool sakta. Usski jhoolti hui laash ko dekhne waala main pehla vyakti tha. Jo hum sab par guzri, tum usske baare mein soch bhi nahi sakte ho. Merey mata-pita ussey bahut chahte thhe aur merey liye to wo sab kuchh thi. Merey pita ne police ko usski laash ka post mortem nahi karne diya. Usski maut ke baad kuchh bhi pehle jaisa nahi tha. Kuchh samay baad hi dil ke daure se meri maa chal basi. Usske aakhri din itni bebasi ke thhe ki usski maut usske liye ek aaraam ki ghadi thi. Merey pita bhi pehle jaise vyakti nahi rahey thhe. Uss dukh ko bhulaane ke liye unhonein sharaab ka sahara le liya aur ek sharaabi ban gaye. Mera bhi pata nahi kya haal hota agar mujhe Priya ki diary na mili hoti to. Kutiya ke pilley maine padha ke tumne kaise usska blaatkaar kiya aur maine padha ke wo kyon mari. Wo marna to chahti hi thi par jab ussey pata chala ke wo maa ban ne waali hai, to rok nahi paayi apne aap ko."



Sab keh ke Vidyut chup ho gaya. Itne saalon ke baad bhi shayad ye sab ussey bahut peeda de raha tha. Rahul buri tarah ro raha tha. Ussey to andaza bhi nahi tha ke usski ek bhool itne logon ka jeevan nasht kar degi.



Vidyut: "Tumhein shayad abhi bhi ye ek ghalati lage aur mere kiye ke muqable

itni badi na lage jitna maine kiya par tumhare kiey ne unn sab ke jeevan barbad kar diye jinhein main pyar karta tha. Meri jagah koyi aur hota to shayad wo bhi barbaad ho gaya hota par main nahi. Maine apna baaki jeevan jiya badla lene ki yojana banaane mein aur usske liye sahi waqt ke intezaar mein. Maine parinaam ko jaante huey hi sab kuchh kiya aur main apne kiye par ratti bhar bhi sharminda nahi hoon."



Rahul: "Tumne mujhe kyon nahi maara?"



Vidyut: "Ye wo sawaal hai jo main khud bhi apne aap se kayi baar kar chuka hoon. Tumhaare itna sab kuchh usske saath karne ke baad bhi ussne tumhaare baare mein kissi ko nahi bataya. To main tumhein kaise maar sakta tha. Maut vaise bhi ek raahat ke siva kuchh nahi hai, aur main chahta tha ke tum uss aurat ko jissey tum pyar karte ho tadapta dekh kar meri aankhon ke saamne tadpo. Jab tak tum jeevit ho tum kabhi nahi bhool paaogey." Phir wahaan ek chuppi chhaa gayi. Sub kuchh kaha aur kiya ja chuka tha. Iss baar Rahul ne chuppi ko toda.



Rahul: "Vidyut, main jaanta hoon ke isska koyi laabh nahi hai par phir bhi main apne uss kritya ke liye tumse maafi maangna chahta hoon jisske kaaran tumne itna dukh aur dard saha hai. Kaash main samay ko peechhe le ja sakta aur apni ghalati na dohraata par tum bhi jaane ho ki aisa karna sambhav nahi hai. Tumne jo kuchh bhi merey saath kiya main wo bhi tumhein maaf karta hoon. Mera vishwas karo ki main tumhein apni maut bhi maaf kar deta agar tum mujhe maar rahey hotey aur ye bataatey ki tum mujhe kyon maar rahey ho. Phir bhi jo dukh aur peeda Kalpana ne tumhaare kaaran sahi wo main tumhein bilkul maaf nahi kar sakta."



Wo chaku wahi tha jiss se Kalpana ko badi nirdayata se maara gaya tha. Jaise hi Vidyut ne wo kasaayi waala chaku dekha wo apne ghutnon par baith gaya aur apni aankhein band kar li. Wo jaanta tha ki usske paapon ke bhugtaan karne ka samay aa gaya hai. Rahul ne Vidyut ke sar par wo chaku itni zor se maara ke wo usski khopri ko kholta hua usske jabadon tak pahunch gaya. Khoon ka fauhaara chal pada aur Vidyut ka mrit shareer Rahul ke pairon mein gir gaya.



Rahul: "Aur ab.........ab, mere jeene mein kya maza reh jaayega?" Usska haat ek baar phir ooper utha aur jab wo apne aap ko chaku maarne jaa hi raha tha ke usska phone baj utha. Ye Lavanya thi. Wo phone uthakar ussko sab kuchh bataane lag gaya. Jab tak ussne batana band kiya, dono ro rahey thhe.



Rahul: "Lavanya kya tum imaandaari se ek sawaal de sakt ho?"



Lavanya: "Main koshish karoongi. Sawaal kya hai?"



Rahul: "Halaanke main ek jaanwar se bhi badtar hoon, phir bhi kya mujhe jeene ka adhikaar nahi hai?"



-----The End---
 

Top