Thriller BEGUNAAH(COMPLETED)

Bᴇ Cᴏɴғɪᴅᴇɴᴛ...☜ 😎
1,621
5,929
143
BEGUNAAH
Update - 20

Ab Tak,,,,,,

"Kyaaa kaha.?????" Vidhi ne buri tarah chaunkte huye aur aankhe faad kar kaha.
"Dekho main ek hi baat ko baar baar nahi bol sakta." Dushyant ne bifar jane ki acting ki______"Tumhe sunaayi nahi diya to ye tumhari problem hai. Ab main ja raha hu byeeeee."

Aur dushyant sach much vidhi ki koi baat sune bina jaise waha se rafu chakkar ho gaya. Jabki uski baate sun kar vidhi hairaani se usko darwaze ki taraf jate huye dekhti rah gayi. Jab wo darwaza khol kar baahar nikal gaya tab jaise uski tandra tooti. Uske zahen me abhi bhi dushyant ki wo baat goonj rahi thi. Achanak hi uske chehre ke bhaav badle aur fir eka ek hi uske chehre par haya ki surkhi ubhar aayi. Gulaab ki pankhudiyo jaise hotho par halki si muskaan ubhar aayi. Fir jaise use kuch khayaal aaya to wo tezi se darwaze ki taraf badhi aur fir darwaze ko band kar diya. Uske baad wo mand mand muskuraati huyi upar apne kamre ki taraf badh gayi.

Ab Aage,,,,,


Inspector dushyant vidhi se kah kar gaya tha ki wo thane ja raha hai jabki uske man me kuch aur hi chal raha tha. JCB hospital me jab doctor sanyaal avinash ko le kar chala gaya tha tab cabin me dushyant akela hi rah gaya tha aur tabhi usne apne jigri yaar sub-inspector yaswant ko phone kar ke milne ke liye bulaya tha. Yaswant ne apne zaruri kaam niptane ke baad hi usse milne aane ko kaha tha. Inspector dushyant ne use apne thaane par milne ki bajaay ek bar me milne ko kaha tha.

Us wakt shaam ho chali thi aur shaam ka dhundhalka chhane laga tha. Dushyant bar me ek kursi par baitha chaay ki chuskiya le raha tha. Is wakt saade kapdo me tha. Jis jagah wo baitha tha waha se bar ka exit door ka raasta dikhta tha, jaha se aane wala koi bhi insaani jeev use asani se nazar aa sakta tha. Kareeb paanch minute baad uska intzaar khatam hua. Exit door ki taraf wale raaste se use sub inspector yaswant aata dikhaayi diya. Dushyant ke kahne par wo saade kapdo me hi aaya tha. Asal me dushyant nahi chaahta tha ki naqaab wale ka koi bhediya agar uske pichhe laga hua ho to wo use is tarah se yaswant se milte huye dekh le.

Yaswant jab is taraf aaya to dushyant ne apne ek hath ko upar utha kar hilate huye use ishara kiya jisse yaswant ki nazar us par pad gayi aur wo uski taraf hi aane laga. Kuch hi palo me yaswant table ke us paar rakhi dusri kursi par aa kar baith gaya.

"Ham tumhari yaad me kab se tadap rahe the pyare." Dushyant ne apne chir parichit andaaz me muskurate huye kaha_____"Aur ek tum the ki hame tadpaye hi ja rahe the....tadpaye hi ja rahe the. Itna julm to kisi dilruba ne apne mahboob par na kiya hoga meri jaan jitna ki tum karte ho."

"Yaar kyo mood kharaab kar rahe ho mera.?" Yaswant ne bura sa muh banate huye kaha______"Ye ghatiya harkate karna kab band karoge tum.?"
"Jab hamare ek darjan bachche tumhara khoon choosne lagenge pyare." Dushyant ne kaha______"Sach kahte hain dear usi din se ham aisi shandar harkate karna sire se band kar denge."

"Baat agar avinash ke maamle ki na hoti." Yaswant ne teekhe bhaav se kaha______"To main yaha tumhari ye bakwas sunne kabhi nahi aata."
"Hamari pyar ke meethe ras se bhari baate tumhe bakwas lagti hain.?" Dushyant ne dukh bhare bhaav se kaha______"Jabki ham puri koshish karte hain ki ham jab bhi tumse mile to apne shabdo me pyaar ki meethi meethi chaashni ko piro kar baat kare. Taaki hamari baate seedha tumhare patthar dil ko chakna choor kar de aur tum hamari mohabbat ko kabool kar lo."

"Ab agar tumhari bakwas ho gayi ho." Yaswant ne sapaat lahje me kaha______"To asal mudde ki baat kare.?"
"Gadde ki.???" Dushyant chaunka______"Abhi se gadde ki baat kyo karte ho pyare.? Abhi to hamara pyar hi parwaan par nahi chadha. Gadde wala kaam to baad me aayega na meri jaan.?"

"Ok fine ja raha hu main." Yaswant gusse me kahne ke sath hi kursi se khada ho gaya.
"Aise chhod ke na jaao bewafa sanam." Dushyant ne ro dene wale andaaz se kaha______"Abhi to hame tumhare sath ishq ki kabaddiya khelni hain....aur to aur tumse ye bhi jaanna hai ki hamare police mahkame me aisa kaun sa kambakht hai jo vibheeshan ban ke baitha hai.?"

"Ab aaye na line par." Yaswant ne usse ghoorte huye kaha aur waapas kursi par baith gaya.
"Line par to hamesha rahte hain pyare." Dushyant ne packet se nikaal kar ek cigarette jalayi aur fir packet yaswant ki taraf badha diya, fir bola______"Bas jab bhi tumhe dekhte hain to dil ki ghantiya bajne lagti hain aur fir tumse dillagi karne lagte hain. Khair chhodo tum kya jaano dil aur dillagi kya cheez hoti hai. Tum bas ye bataao ki tumne ab tak kya kiya is maamle me.?"

"Vikrant ke aane se." Yaswant ne cigarette jalane ke baad kaha______"Maine is maamle me interest lena chhod diya tha magar tumhare kahne par fir se is maamle me sir khafana shuru kar diya tha. Khair tumhare kahne par maine ek baar fir se un sabhi jagaho ki baariki se taftees ki magar result kuch nahi nikla jo ki ashcharya ki hi baat hai. Pichhli baar ki tarah hi nateeja nikla hai. Kahne ka matlab ye ki pichhli baar jo kuch pata chala tha usse aage aur kuch pata nahi chala. Uske baad tumne is baat ka pata lagane ko kaha ki naqaab wale se tumhare police department ka koi aadmi mila hua hai jo pal pal ki khabar use pahuchata hai to maine iske bare me bhi pata kiya magar tumhe yakeen nahi hoga ki is bare me bhi kuch khaas pata nahi chala."

"Kamaal karte ho pyare." Dushyant ne dher sara dhuna hawa me chhodne ke baad kaha______"Laut ke buddhu ghar ko aaye wali baat ho gayi ye to. Bhala aisa kaise ho sakta hai dear ki is maamle me kuch pata hi na chale.? Khair chhodo, ye 101% sach baat hai pyare ki hamare mahkame ka koi police wala us naqaab wale se mila hua hai aur use har pal ki khabar deta hai. Thane me hamare gine chune log hain aur unhi me se koi aisa hai jo is tarah ka kaand kar raha hai. Sirf itni si baat ka pata nahi laga paye tum.....kaise police wale ho bhai.?"

"Tumhare kahne par." Yaswant ne kaha______"Maine un sabhi police walo ke phone numbers ke call record nikalwaye hain aur itna hi nahi un sabhi ko ek ek kar ke apne aadmiyo se check bhi karwaya hai. Mere aadmiyo ne un sabhi ka ek ek kar ke pichha kiya tha aur unki har activity ko watch kiya tha magar report waisi nahi mili jaisi ki aashanka thi. Matlab saaf hai ki ya to tumhare mahkame ka koi policiya us naqaab wale se mila hua nahi hai ya fir agar mila hua hai bhi to wo apne har kaam ko badi safaayi se anjaam deta hai. Mujhe lagta hai ki bahut hi shaatir hai wo."

"Shaatir praani ka chela shaatir hi hoga pyare." Dushyant ne kuch sochte huye kaha______"Aisa bhi to ho sakta hai ki mahkame ka jo police wala us naqaab wale se mila hua hai uske paas koi secret number ho jisse wo naqaab wale ko phone kar ke suchna deta ho."

"Yaani ki do number honge.?" Yaswant ne kaha______"Ek wo number jo police ki jankari me hai aur dusra wo number jo sirf naqaab wala jaanta hai.?"
"Bilkul." Dushyant ne kaha______"Do do number rakhna koi badi baat nahi hai, balki aaj kal to log do kya balki chaar number bhi rakhte hain apne paas. Kuch log to chaar chaar mobile phone hi liye ghumte hain. Ek mobile me do sim card padte hain. Us hisaab se chaar mobile me aath phone number ho jate hain. Kahne ka matlab ye ki aisa yakeenan ho sakta hai ki jo police wala vibhishan bana hua hai uske paas koi dusra number bhi hai jiske bare me hame nahi pata hai jabki naqaab wale se us number par barabar baat hoti rahti hai."

"Ye to sach baat hai ki har mobile me do sim card padte hain." Yaswant ne kaha______"Aur aise kam hi log hote hain jo mobile me ek hi sim card rakhna pasand karte honge. Ab hame ye pata karna hoga ki department me jin jin logo ke paas mobile hai unke mobiles me ek se zyada sim card hain ya nahi aur agar hain to hame us dusre number ki jankari chahiye."

"Hame lagta hai pyare ki aisa karne se bhi kuch haath nahi lagne wala." Dushyant ne kaha______"Aisa is liye kyo ki jo police wala us naqaab wale se mila hua hoga wo apne us mobile par wo dusra sim card kyo daal ke rakhega jisse ki use fas jana pade.? Matlab saaf hai dear ki dusra wala number kisi dusre mobile phone me hi daal ke rakhega wo...aur wo bhi switch off kar ke. Wo us mobile ko tabhi on karega jab use us naqaab wale se baat karni hogi."

"Ye bhi thik kaha tumne." Yaswant ne kaha______"Iska matlab hame ye pata karna hoga ki kis kis ke paas do do mobile phones hain.? Halaaki do do mobile phones aaj kal bahut se log rakhte hain magar jo vibhishan hoga wo apna dusra mobile phone chhupa ke hi rakhega. Hame usi phone ko talaash karna hai."

"Bilkul." Dushyant ne kaha______"Agar wo number hamare hath lag gaya to uske call record se hame naqaab wale tak pahuchne ka raasta asaani se mil jayega."
"Baat to thik hai." Yaswant ne kaha_____"Magar us dusre mobile ka pata kaise lagayenge ham.?"

"Uske liye mujrimo wala kaam karna hoga pyare." Dushyant ne kaha______"Thane me jitne bhi police wale hain un sabki talaashi gupt roop se leni padegi aur agar zarurat pade to unke gharo me bhi gupt tarike se talaashi leni padegi. Hame pura yakeen hai ki aisa karne se hame kamyaabi zarur milegi."

"Waise tumhare khayaal se." Yaswant ne dushyant ki taraf gaur se dekhte huye kaha______"Aisa kaun police wala ho sakta hai jo us naqaab wale se mila hua hai.?"
"Tum to jante ho pyare ki ham police wale apne baap ko bhi shak ki nazar se dekhte hain." Dushyant ne ajeeb bhaav se kaha______"Is liye jab baat aise maamle ki ho to shak har kisi par hota hai lekin shak bhale hi har kisi par ho magar hakikat ye hoti hai ki har koi gunahgaar ya mujrim nahi hota. Balki mujrim koi ek hi hota hai. Filhaal to ham kisi ke bhi bare me ye nahi kah sakte ki wo naqaab wale se mila hua hai. Halaaki hamari jaane-bahaar ko pura shak hai ki sub-inspector vikrant hi wo shakhs hai jo naqaab wale se mila hua hai."

"Tumhara matlab vidhi se hai.??" Yaswant ne jaise dushyant ko ghoorte huye puchha.
"Tumhare alawa is duniya me ek wahi hai pyare." Dushyant ne halki muskaan ke sath kaha______"Jo hamari jaane-bahaar ban chuki hai."
"Oh i see." Yaswant ne gahri saans li, fir bola______"Lekin wo bhala vikrant ko kis base par kah rahi hai ki wo naqaab wale se mila hua hai...aur kya tumhe bhi yahi lagta hai.?"

"Hame to aisa nahi lagta pyare." Dushyant ne kaha______"Par hone ko to kuch bhi ho sakta hai. Yaani aisa ho bhi sakta hai ki vikrant hi wo vibhishan ho jo naqaab wale se mila hua hai. Hamari jaane bahaar ko us par is liye shak hai kyo ki ek to aise waqt me wo yaha transfer ho kar aaya hai jabki avinash ka maamla haal hi me thoda aage badhta hua prateet hua tha. Dusre us din jo accident hua wo bhi us par shak karne ki ek vajah ban gaya. Kahne ka matlab ye ki avinash ko vidhi ke ghar shift karne ki baat hame aur vidhi ke alawa sirf use hi pata thi. Us din jis tarike se accident hua usse saaf pata chalta hai ki wo accident pahle se hi planned tha. Warna tum khud socho my dear ki naqaab wale ko kaise pata ho sakta hai ki accident karne ke liye use do trucko ki zarurat hai.? Chalo hamne ye maan liya ki naqaab wale ka koi aadmi ham par nazar rakhta raha hoga magar avinash ko vidhi ke ghar shift karne ki baat to secret thi na. Dusri baat agar ham ye bhi maan le ki naqaab wale ka koi aadmi kahi se chhup kar ye dekh raha hoga ki avinash ko kis tarike se hamare flat se laya ja raha hai tab bhi ain wakt par itna perfect tarike se us sab ko anjaam dena us naqaab wale ke liye asaan nahi tha. Matlab saaf hai pyare ki use sab kuch pahle se pata tha aur tabhi usne us accident ko safalta poorwak anjaam dene ka plan banaya tha. Ab sawaal ye hai ki naqaab wale ko kisne bataya ki avinash ko hamare flat se kis tarike ki security ke sath fala raaste se laya ja raha hai.?"

"Baat to yakeenan point wali hai dushyant." Yaswant ke chehre par sochne wale bhaav ubhar aaye the, bola______"Vidhi ko agar vikrant par shak hai to galat nahi hai. Halaaki sochne wali baat to ye bhi hai ki vikrant jaisa kaabil aur imaandaar police wala kisi mujrim ka sath kyo dega.? Uska bedaag character is baat ko hajam karane ke liye na-kaafi hai ki wo aisa kuch kar sakta hai. Mumkin hai ki koi dusra hi police wala us naqaab wale se mila hua hoga."

"Sambhaavnaao se kuch nahi hoga pyare." Dushyant ne ek dusri cigarette sulgane ke baad kaha______"Kisi bhi cheez ko saabit karne ke liye pramaad ki zarurat hoti hai, jo ki filhaal hamare paas nahi hai. Isi liye to kah rahe hain ki thane ke har police wale ki baariki se talaash leni hogi hame. Wo bhi is tarike se ki is baat ki zara si bhi bhanak na lag sake un logo ko. Waise hame yakeen hai ki thane ka koi hawaldaar hi hoga jisne kuch paiso ke liye apne imaan ko bench diya hai."

"Chalo thik hai." Yaswant ne kaha______"Tumhare kahne par main tumhare thane ke police walo ki baariki se talaashi lene ka kaam aaj se hi shuru kar duga. Waise us accident ke baad ab avinash ki haalat kaisi hai.? Mera matlab hai ki uski yaad daast waapas aayi ki nahi.?"

"To tumhara bhi yahi maanna hai pyare." Dushyant ne cigarette ka gahra kash lene ke baad kaha______"Ki accident ke chalte uski memory waapas aa gayi hogi.? Jabki doctor sanyaal ka kahna tha ki aise cases me agar insaan ki memory waapas aa bhi gayi to ye us insaan par depend karta hai ki wo is baat ko accept kare. Yaani agar mareej na bataye ki uski memory waapas aa gayi hai to doctor ke paas uski memory waapas aane ki baat ko saabit karne ka koi raasta nahi ho sakta."

"To tumhe kya lagta hai.?" Yaswant ne kaha______"Avinash apni yaad daast waapas aa jane ki baat ko accept nahi karega.?"
"Lagta to yahi hai pyare." Dushyant ne kaha______"Kyo ki memory waapas aane ke baad use apne past ka sab kuch yaad aa jayega aur jo kuch bhi ab tak uske sath hua tha us baat se uske andar badle ki bhaavna aa jana koi hairat ki baat nahi hogi. Us surat me wo nahi chaahega ki uski raah me roda banne ke liye police ya police ka koi numaainda uske saamne aa jaye."

"To kya iska matlab ye hua." Yaswant ne kaha_____"Ki doctor dwara check up karwane ka bhi koi faayda nahi hoga.?"
"Faayda to yakeenan hoga pyare." Dushyant ne apne hi andaaz me kaha_____"Doctor ke check up se bhale hi kuch na pata chale kekin agar avinash ki memory waapas aa gayi hogi to wo is baat ko zyada dino tak chhupa nahi sakega. Insaan apni fitrat nahi badal sakta. Yaad daast jane ke baad bhale hi wo kuch aur hi ban gaya raha ho magar jab uski memory waapas aa jayegi to wo waisa hi ban jayega jaisa ki wo yaad daast jane ke pahle tha. Hamne use is roop me dekha hai lekin jab uski yaad daast aa chuki hogi to uske is roop me yakeenan badlaav aayega aur uska wahi badlaav ye saabit bhi karega ki ab uski memory waapas aa gayi hai. Uske bure karm uske na chaahne ke baavjud ubhar kar saamne aayege."

"Agar aisa hai." Yaswant ne gahri saans li_____"To fir us shakhs ka pata lagane ki kya zarurat hai jo us naqaab wale se mila hua hai.? Kahne ka matlab ye ki jaise hi hame ye yakeen hota hai ki avinash ki memory waapas aa gayi hai to ham usse saaf lafzo me is sabke bare me puchh lenge. Use batana hi padega ki uske sath ye sab jo kuch hua hai wo kyo hua hai aur kisne kiya hai.?"

"Mana ki hame usse is sabke bare me pata chal jayega pyare." Dushyant ne kaha_____"Magar wo ye to nahi bata payega na ki jisne uske sath ye sab kiya hai wo aaj ki date me kaha par paya ja raha hai.? Yahi problem avinash ke samne bhi khadi hogi jab use apne ateet ke bare me sab kuch yaad aa jayega. Uske liye bhi us naqaab wale ko khojna asaan nahi hoga aur hamare bich rah kar mumkin hai ki wo use khojne ka soche bhi na. Jabki ham apne source se naqaab wale ka pata khoj sakte hain aur ye tabhi hoga jab uska bhediya hamare hath lag jaye."

"You are right." Yaswant ne kaha______"Waise wo naqaab wala bhi to yahi sochta hoga ki uske dwara kiye gaye us accident se mumkin hai ki avinash ki memory waapas aa gayi ho. Is baat ko samajhte huye wo is baar avinash ko kidnap karne ka vichaar bana sakta hai....kya lagta hai tumhe.?"

"Beshak aisa ho sakta hai pyare." Dushyant ne sir ko haan me hilaate huye kaha_____"Lekin is baar uske liye avinash tak pahuchna asaan nahi hoga. Uska koi bhi plan is baar kaam nahi karega."
"Aisa hona bhi chahiye." Yaswant ne kaha______"Warna agar usne is baar avinash ke sath ya kisi bhi police wale ke sath kuch bhi ulta seedha kiya to tumhari naukari ke lene ke dene pad jayege."

"Tum to chaahte hi yahi ho pyare ki hamari naukari ke sath sath hamara bhi bantadhaar ho jaye." Dushyant ne kaha_____"Magar ham tumhari ye chaahat puri nahi hone denge."
"Meri chaahat ki chhod." Yaswant ne kaha______"Apni chaahat ke bare me bata. Vidhi ke sath teri story kaha tak pahuchi.?"

"Ab kya bataye pyare." Dushyant ne dukhi hone ka naatak karte huye kaha______"Ham to story ko us tak pahuchane ki har baar koshish karte hain magar uska mizaaj dekh kar hame U turn lena pad jata hai. Samajh me nahi aata ki kab aisa din aayega jab ham uski kaali ghani aur haseen zulfo ke niche let kar usse ishq farmayenge.?"

"Ohh aisa kya.?" Yaswant muskuraya______"Aise me dil to bahut dukhta hoga na tumhara.?"
"Bas ye samajh lo pyare." Dushyant ne jaise apne dil ka haal bayaan karte huye kaha_____"Ki agar ham sach much ke mard na hote to is dard se gala faad faad ke cheekhte aur aankho se ganga jamuna ek sath bahane lagte."

"Yaani ki aaj kal." Yaswant ne kaha_____"Har taraf se tumhari durdasha ho rahi hai."
"Ishq jise ho jaye." Dushyant ne kaha_____"Uske sath to yahi hota hai pyare. Khair chhodo is baat ko....ab ham chalte hain. Tumhe jo kaha hai us kaam ko jald se jald anjaam tak pahuchaao aur hame achhi khabar sunaao. Us naqaab wale ko ham murga banane ke liye tadap rahe hain."

Inspector dushyant ki ye baat sun kar yaswant muskuraya aur fir dono hi bar se baahar ki taraf chal pade. Counter ke paas pahuch kar dushyant ne chaay ke paise de diye. Bar se baahar aa kar dono hi apni apni jeepo me baith kar apne apne raaste ki taraf chal diye the.
 
Bᴇ Cᴏɴғɪᴅᴇɴᴛ...☜ 😎
1,621
5,929
143
BEGUNAAH
Update - 21


Ab Tak,,,,,

"Yaani ki aaj kal." Yaswant ne kaha_____"Har taraf se tumhari durdasha ho rahi hai."
"Ishq jise ho jaye." Dushyant ne kaha_____"Uske sath to yahi hota hai pyare. Khair chhodo is baat ko....ab ham chalte hain. Tumhe jo kaha hai us kaam ko jald se jald anjaam tak pahuchaao aur hame achhi khabar sunaao. Us naqaab wale ko ham murga banane ke liye tadap rahe hain."

Inspector dushyant ki ye baat sun kar yaswant muskuraya aur fir dono hi bar se baahar ki taraf chal pade. Counter ke paas pahuch kar dushyant ne chaay ke paise de diye. Bar se baahar aa kar dono hi apni apni jeepo me baith kar apne apne raaste ki taraf chal diye the.

Ab Aage,,,,,,


Us wakt shaam ke saadhe aath baj rahe the jab inspector dushyant vidhi ke ghar pahucha tha. Thane ki report usne vikrant se phone par hi le liya tha. Vidhi ke bangle ke charo taraf special trained police officers security ke liye tainaat the. Iske alawa cctv camera aur kuch aise sensors bhi lage huye the jiski vajah se agar koi bhi ajnabi boundary ko paar karte huye andar ghusne ki koshish karega to sensors ki vajah se security officer ko waha maujud system ke dwara fauran hi pata chal jayega. Boundary wall se ya main gate se wahi andar ja sakta tha jiska pahle se hi scan kar ke jaanch kar liya gaya tha. Kahne ka matlab ye ki is baar inspector dushyant ne avinash ke sath sath vidhi ki bhi security ka pukhta intjaam kar rakha tha. Naqaab wala is baar ghar ke andar ghusne ki moorkhta hargiz bhi nahi kar sakta tha.

Dushyant ke door bell bajane par vidhi ne darwaza khola. Dushyant ke andar aate hi usne darwaze ko andar se kundi laga kar band kar diya. Uske baad dushyant ke piche piche wo andar aa gayi. Vidhi ko chup dekh kar dushyant ko thoda hairaani huyi. Kyo ki uske aate hi wo koi na koi baat shuru kar deti thi magar is wakt wo chup thi.

"Kya hua.?" Sofe par baithte hi dushyant ne vidhi ki taraf dekhte huye kaha______"Itni chup si kyo ho.? Kuch baat ho gayi hai kya.?"
"Fresh ho kar aao." Vidhi ne sapaat bhaav se kaha_____"Tab tak main khana lagati hu."

"Aree bataao na kya hua hai.?" Dushyant ekdam se fikarmand hote huye bola_____"Tum is tarah chup kyo ho vidhi.? Iske pahle to mere aate hi tum koi na koi baat shuru hi kar deti thi. Mujhe sach sach bataao ki aisa kya hua hai yaha jiski vajah se tum ekdam shaant dikh rahi ho. Agar kisi ne tumhe kuch kaha hai to bejhijhak bata do main uski achhi khaasi khabar luga."

"Aisi koi baat nahi hai." Vidhi ne pahle jaise hi sapaat bhaav se kaha_____"Tum jaao fresh ho lo. Main khana lagati hu."
"Main kahi nahi jane wala." Dushyant kahne ke sath hi sofe se khada ho gaya aur fir vidhi ke paas ja kar bola______"Main pahle ye jaanna chaahta hu ki meri dost itni shaant aur chup kyo hai.? Aakhir kya hua hai meri sabse pyari aur masoom si dost ko. Plz bataao vidhi, tum jaanti ho ki main tumhe is tarah shaant aur chup haalat me nahi dekh sakta."

"Kya bataau.?" Vidhi ne dushyant ki taraf dekhte huye badi masumiyat se kaha______"Tum hi to kahte rahte ho ki main tumhe hamesha aise daatti rahti hu ki uski vajah se tumhe alag tarah ki feeling aane lagti hai. Is liye maine ab soch liya hai ki ab se main tumhe kuch bhi nahi kahugi."

"My god." Dushyant ne chakit bhaav se kaha______"To tum sirf is vajah se is tarah shaant aur chup thi.?"
"Haan aur nahi to kya." Vidhi ne usi masumiyat se kaha.
"Tum meri dost ho vidhi." Dushyant ne sahsa uske dono kandhe pakad kar kaha_____"Aur tumhe pura hak hai mujhse kisi bhi lahje me baat karne ka. Maine to tumhe chhedne ke liye waisa bola tha, jabki sach ye hai ki jab tum us tarah ke lahje me mujhse baate karti ho aur daatti ho to mujhe bahut achha lagta hai. Ye bhi sach hai ki mujhe tumhare kareeb rahna aur tumse baate karna achha lagta hai magar main ye kabhi nahi chaah sakta ki meri vajah se tumhare chaand se chehre par zara si bhi udaasi aaye. Tumhe pata nahi hai magar sach ye hai ki meri zindagi me kabhi koi ladki nahi aayi aur na hi maine kabhi kisi ko apne kareeb aane diya magar sirf tum aisi ho jiska sab kuch achha lagta hai mujhe aur main chaahta hu ki hamari dosti hamesha bani rahe. Haan agar tumhe mujhse kisi baat ka aitraaz ho to bejhijhak bol dena. Bas yu samajh lo ki main khud ko to hazaaro dukh de sakta hu magar tumhe dukh dene ke bare me soch bhi nahi sakta. Ab is baat ko tum meri chaahat samjho ya fir dosti."

"Itna senti hone ki koi zarurat nahi hai." Vidhi ne sahsa bura sa muh banate huye kaha______"Main to bas ye dekh rahi thi ki mere chup rahne par tum kaisa react karte ho. Mujhe nahi pata tha ki tum meri itni si baat par devdas type ban jaaoge. Ab jaao jaldi se fresh ho kar aao. Buddhu kahi ke."

Vidhi ne tunak mizaaji ke sath kaha aur fir palat kar kitchen ki taraf badh gayi. Dusri taraf jaise hi uska chehra hua to uske gulaabi hotho par bahut hi gahri muskaan ubhar aayi thi jise dushyant nahi dekh sakta tha. Jabki uske is tarah bolne par dushyant pahle to chaunka fir ye soch kar muskurate huye washroom ki taraf badh gaya ki is ladki ki har ada dil me gudgudi kar deti hai.

Washroom se fresh ho kar dushyant aaya to dono ne sath hi baith kar khana khaya. Khane ke dauraan dushyant ne vidhi se puchha tha ki avinash ne khaya ki nahi to jawaab me vidhi ne bata diya tha ki usne sabse pahle usi ko khana diya tha. Dono aamne saamne kursiyo par baithe khana kha rahe the. Dushyant jaha khana khane me byast tha wahi vidhi baar baar use chor nazro se dekh kar muskura deti thi. Khana khane ke baad dushyant dring room me aa gaya jabki vidhi khane ke bartan samet kar kitchen ki taraf badh gayi.

Kareeb bees minute baad vidhi waapas aayi aur dring room me dushyant ke saamne wale sofe par baith gayi. Dono ke beech kuch der tak khamoshi chhaayi rahi. Jaise dono ke paas kahne ke liye kuch tha hi nahi. Jaha dushyant ke zahen me is wakt avinash aur naqaab wale se sambandhit baate chal rahi thi wahi vidhi dushyant ke bare me soch rahi thi. Uske gore saffaak chehre par halki surkhi chhaayi huyi thi jo is baat ka prateek thi ki uske andar dushyant ke liye koi sweet si feeling uske man me gudgudi kar rahi thi.

"Kal wakeel uncle aane wale hain." Gahan khamoshi ko cheerte huye aakhir vidhi ne kaha_____"Maine bataya tha na tumhe.?"
"Ohh haan yaad hai mujhe." Dushyant halke se chaunkte huye bola______"Tum unse mil lena aur agar is sab ke bare me puche to bejhijhak bata bhi dena."

"Aisa kyo kah rahe ho.?" Vidhi ne kaha_____"Kya tum us wakt yaha nahi rahoge.?"
"Kal mujhe kayi zaruri kaam karne hain." Dushyant ne lambi saans kheechte huye kaha_____"Is liye main yaha nahi rahuga us wakt. Waise bhi mera us wakt yaha rahna koi maayne nahi rakhta. Haan agar tumhe lagta hai ki mujhe rahna chahiye to ruk jaauga."

"Tum rahte to mujhe achha hi lagta." Vidhi ne jaise udaas bhaav se kaha______"Par kyo ki maujuda situation me tumhe zaruri kaam hai is liye main tumhe rokna uchit nahi samjhti."
"Tum wakeel sahab se mil lena." Dushyant ne kaha_____"Waise to tum khud hi samajhdaar ho ki tumhe kya karna hai. Baaki jaha meri zarurat ho to bol dena."

"Thik hai." Vidhi ne kuch sochte huye kaha______"Achha ek baat bataao kya tum apni family walo se milne nahi jate kabhi.? Itne dino me maine tumhe kabhi apni family walo se baat karte nahi dekha."

"Asal me baat ye hai ki meri family me meri pita ji se nahi banti hai." Dushyant ne gahri saans lete huye kaha_____"Meri family me mere pita ji kafi strict the. Ham dono bhai bahan unse bahut darte the, main to sabse zyada kyo ki main ek ladka tha aur wo chaahte the ki main thik se padhu likhu aur kisi galat sangat me na padu. Is vajah se wo har wakt meri class lete rahte the. School life tak to bahut paabandi thi aur main kabhi unki taraf aankh utha ke bhi nahi dekh saka tha. School ke baad college me gaya to thodi raahat mili kyo ki college gaon se door shahar me tha. College me aane se ek baat ye huyi ki mujhe saal me ek baar hi ghar bualaya jata tha. Halaaki maa is baat se khush nahi thi magar pita ji ke dar se wo kuch bol nahi sakti thi. College me aane ke baad mere kuch yaswant jaise dost bane aur maine bhi khud ko badalna shuru kar diya. Pita ji ki in shakht hidaayto ki vajah se main galat sangat me to nahi pada magar mere andar is sabki vajah se kathorta ghar karne lagi. Main hamesha sochta tha ki mujh par itni shakht paabandi kyo.? College me aaya to mahine me ek baar pita ji ka phone aata aur wo mera haal chaal puchte aur maa se bhi baat ho jati. Is sabse mujhe aisa lagta tha jaise koi mujhe pyar nahi karta warna is tarah mujhe akela na chhod diya gaya hota. Khair college se nikla to police force join karne ka socha. Police force is liye kyo ki khaaki wardi se lagaav tha aur desh samaaj ke liye kuch karne ki lalak thi. Halaaki pita ji is baat se khush nahi the. Wo to mujhe kuch aur hi banana chaahte the magar maine police force hi join kiya. Training ke baad jab main ghar gaya to maa mujhe dekh kar bahut khush huyi jabki pita ji ne naraazgi jataayi. Main ab bada ho chuka tha is liye pahle jaise pita ji ka khauf nahi tha mere andar. Us din maa ne bhi pita ji ko khoob sunaya. Pita ji is baat se bahut gussa huye aur mujhse bole ki jo man me aaye kar...ham kaun hote hain bhala.?"

"Meri chhoti bahan pratiksha mujhe police wale ke roop me dekh kar bahut khush huyi thi." Ek lambi saans lene ke baad dushyant ne fir se kahna shuru kiya______"Us din se pita ji ka bartaav mere prati badal gaya tha. Wo mujhse zyada baat nahi karte the. Jab bahut hi zaruri ho jata tha tabhi baat karte the thodi bahut. Police force join karne ke do saal baad ghar me meri shadi ki baat chalne lagi. Pita ji ne mujhse direct nahi kaha tha balki maa ke dwara kahalwaya tha. Unki nazar me koi ladki thi jisse wo meri shadi karana chaahte the magar maine shadi karne se saaf inkaar kar diya. Maine maa se saaf kah diya tha ki main usi ladki se shadi karuga jise dekh kar mera dil khud mujhse kahe ki yahi hai wo ladki jo sirf tere liye bani hai. Mere inkaar karne par pita ji bahut gussa huye. Halaaki maa aur pratiksha ne mera hi sath diya tha. Aise hi din mahine guzarte rahe. Pita ji jab bhi shadi karne ke liye zor dete main inkaar kar deta tha aur mere inkaar karne par wo gussa ho jate the. Iska asar ye hua ki unhone mujhse bilkul hi taalluk rakhna chhod diya. Maa aur pratiksha hamesha mujhse yahi kahti ki agar tujhe aisi hi kisi ladki se shadi karni hai to tu khud hi kyo nahi khoj leta. Unki is baat par main bas yahi kahta ki khojne se aisi ladki nahi milti hai maa, balki wo to kismat ke jaagne se aur bhagwan ki meharbaani se milti hai. Is liye jab ye dono cheeze hogi to mujhe meri pasand ki ladki khud hi mil jayegi. Meri chhoti bahan pratiksha apni saheliyo ki photo dikhati aur kahti ki agar inme se koi pasand ho to bata du. Uski saheliya waastav me bahut sundar thi magar unhe dekh kar mere dil se koi awaaz nahi aati thi. Is liye tab se ab tak aise hi guzar rahi thi zindagi. Itne arshe baad jab tumhari mom wala case hua to mera saamna tumse hua. Tumhe dekha to dekhta hi rah gaya tha main. Mera dil cheekh cheekh kar mujhe bata raha tha ki yahi hai wo. Ab tak to itna samajh chuka hu ki sirf ek insaan ke chaahne se kuch nahi hota. Yaani ki agar hame koi ladki pasand aa jaye to iska matlab ye nahi ho sakta ki wo ladki hame apne life partner ke roop me mil hi jayegi. Koi zaruri nahi ki ham jise pasand kar le wo bhi hame pasand kar le. Tum mili to dil ne mujhe bata diya ki tum hi ho wo ladki aur maine badi himmat kar ke tumse apne dil ki baat bhi kah di thi. Ye jaante huye bhi ki agar tumne inkaar kar diya to mera dil toot kar bikhar jayega. Par kam se kam dil ki tasalli ke liye dosti ka rishta to ban hi gaya apna. Mere liye to yahi bahut tha. Kam se kam isi bahane tumhare kareeb to rahuga aur tumse baate to hogi. Kya hua agar tumne meri chaahat ko kabul nahi kiya. Itna to mujhe bhi pata hai ki har kisi ki pasand alag alag hoti hai."

"Badi ajeeb kahani hai tumhari." Vidhi ne gahri saans lete huye magar larajte huye swar me kaha______"Tum par to koi bhi ladki fida ho sakti hai. Wo sab kuch hai tum me jo koi bhi ladki apne khayaalo me sochti hai. Kaash mere andar tumhare liye aisi feelings aa jati."

"Koi baat nahi." Dushyant ne is baar feeki si muskaan ke sath kaha______"Aur tumhe apne andar jabardasti aisi feelings laane ki zarurat bhi nahi hai. Shayad apne naseeb me yahi likha hai ki saari zindagi akela hi rahu."

"Aur tumhari maa aur bahan ka kya.?" Vidhi ne kaha_____"Kya unke armaano ka koi mol nahi hai tumhari nazar me.? Sirf apni chaahat aur khushi ke liye apni maa bahan ki khwaahisho ka gala kaise ghot doge tum.?"
"Kabhi kisi ko mukammal jaha nahi milta vidhi." Dushyant ne kaha______"Insaan ki ek khwaahish puri hoti hai to agle hi pal dusri khwaahish janm le leti hai. Zindagi me khushiya do pal ki mehmaan hoti hain aur dukh dard hamesha ke liye hamare hi ghar me apna ashiyana bana ke rahne lagte hain. Behtar ye hai ki kisi cheez ki khwaahish hi na karo. Maine apni maa aur bahan ko achhe tarike se samjha rakha hai is bare me."

Dushyant ki ye baat sun kar vidhi dekhti rah gayi uski taraf. Uske chehre par kayi tarah ke bhaav aate jate nazar aaye. Kuch der ke liye jaise fir se khamoshi chha gayi. Jaha dushyant sofe par baitha gipsy ki chaabhi ko kuredne laga tha wahi vidhi lagataar usi ki taraf dekhe ja rahi thi.

"Bade ajeeb aadmi ho tum." Vidhi ne gahri saans lete huye khamoshi ko toda______"Ab to tumhari bahan ki shadi ho chuki hogi na.?"
"Wo mujhse age me bahut chhoti hai." Dushyant ne halki muskaan ke sath kaha______"Asal me mere baad mere mata pita ko do santaane aur huyi thi magar wo zyada samay tak jeewit nahi rah sake. Uske baad pratiksha ka janm hua tha. Pratiksha mujhse saat saal chhoti hai. Abhi uski shadi nahi huyi hai. Pichhli baar jab maa se baat huyi thi to bata rahi thi ki pita ji uski shadi ke liye koi achha sa ladka khoj rahe hain."

"Abhi kab se ghar nahi gaye tum.?" Vidhi ne puchha.
"Shayad chaar mahine se upar ka wakt ho chuka hai." Dushyant ne kaha______"Par main phone par mahine pandrah din me baat kar leta hu unse."
"Kitne kathor ho tum." Vidhi ne uski taraf ghoor kar dekhte huye kaha_____"Aisa kaise kar sakte ho tum.? Kya tumhe apni family walo par zara bhi taras nahi aata.? Pita ji se to chalo maan liya ki tumhari nahi banti magar maa aur bahan se to banti hai.? Wo dono to tumhe pyar karti hain, fir itne mahine tak kaise tum unse door rah sakte ho.?"

"Yaar aaj kal mobile me video calling ki suvidha hai." Dushyant ne kaha______"Is liye video calling kar ke unhe dekh leta hu aur wo log bhi mujhe dekh leti hain. Kya ye kaafi nahi hai.?"
"Sahi kahti thi main." Vidhi ne ghoorte huye hi kaha_____"Ki dhele bhar ka bhi sense nahi hai tum me. Video calling se dekh lene bhar se kya hota hai.? Ghar jaa ke unse milo aur unke sath kuch din raho tab ja ke dil ko chain milega unhe. Mujhe to hairat hoti hai ki tum un masumo ke sath aisa kaise kar rahe ho.? Main tumhe kitna achha samajhti thi magar tum to patthar dil nikle aur khud ke liye chaahte ho ki koi tumhari chaahat ko kabool kar le....huh."

Kahne ke sath hi vidhi ne muh fer liya. Uska andaaz aisa tha jaise wo dushyant se rooth gayi ho. Dushyant ne jab uski taraf dekha to uske hotho par muskaan ubhar aayi.

"To kya isi vajah se." Dushyant ne kaha______"Meri chaahat abhi tak accept nahi huyi ki maine apni maa aur bahan ke sath aisa kar ke achha nahi kiya.?"
"Baat mat karo mujhse." Vidhi ne is baar halka gussa dikhate huye kaha______"Bade aaye apni chaahat ko accept karwane wale. Meri baat kaan khol kar sun lo ab aur wo ye ki is case ke finish hone ke baad tum seedha apne ghar jaaoge."

"Jo hukum aapka." Dushyant ne adab se sir ko nawaate huye kaha______"Aur koi aadesh mere liye.?"
"Haan hai." Vidhi ne tunak mizaaj dikhate huye kaha_____"Aur wo ye hai ki tum abhi ghar me maa ko phone karo aur unse kaho ki pratiksha ko kal hi yaha bhej de."

"Aree ye kya kah rahi ho tum.?" Dushyant buri tarah chaunka tha, bola_______"Bhala use yaha kyo bhejne ko kah rahi ho tum.?"
"Main kuch nahi janti." Vidhi ne sofe se uthte huye kaha_____"Jo kaha hai wo karo warna soch lena fir."

"Are yaar ye kya baat huyi bhala.?" Dushyant ekdam se pareshan nazar aane laga, bola______"Pratiksha ko yaha bulane par itna zor kyo de rahi ho tum.? Waise bhi pita ji use yaha nahi bhejege."
"Main kuch nahi jaanti." Vidhi ne kaha_____"Tum abhi phone lagaao aur haan agar tum baat nahi karna chahte to main khud maa se baat karugi aur unse kahugi ki kal hi pratiksha ko yaha bhej de."

Dushyant marta kya na karta wali situation me fas gaya tha. Majburan use vidhi ke kahne par ghar me phone karna pada. Pahle to usne khud hi baat ki aur ghar me sabka haal chaal puchha. Fir jab vidhi ne dekha ki wo asal baat karne se aana kaani kar raha hai to usne dushyant se mobile chheen liya aur khud dushyant ki maa se baat karne lagi. Idhar vidhi ke aisa karme par dushyant ki haalat dekhne laayak ho gayi thi. Use is baat ka dar sata raha tha ki uski maa jab vidhi se baat karegi to wo uske bare me kya sochegi. Udhar vidhi ne phone par badi shaalinta se sabse pahle dushyant ki maa ko maa kah kar hi namaste kiya aur fir pure aatmvishwaas ke sath shuru ho gayi.

Saamne sofe par baitha dushyant apni saanse roke uski baate sunta bhi ja raha tha aur hairaan bhi hota ja raha tha. Uski baato ko sunte sunte hi wo kisi aur hi duniya me pahuch gaya tha. Use hosh tab aaya jab vidhi ne uski taraf uska mobile badha kar thodi tej awaaz me use pukara. Dushyant uske pukarne par hadbada gaya.

"Maine maa ji se baat kar li hai." Vidhi ne muskurate huye kaha_____"Aur unse kah bhi diya hai ki wo kal pratiksha ko yaha bhej de. Mere kahne par unhone khushi se kaha ki thik hai wo kal hi pratiksha ko yaha bhej degi. Is liye ab tum kal use lene station chale jana."

"Kya maa ne tumse puchha nahi." Dushyant ne ashcharya se aankhe faadte huye kaha______"Ki tum kaun ho aur mere phone par tum kaise baat kar rahi ho...aur ye bhi ki main tumhare paas kaise hu.?"

"Haan puchha tha unhone." Vidhi ne is tarah kaha jaise ye uske liye koi badi baat nahi thi, boli_____"Maine unhe bataya ki tum mere dost ho. Bas uske baad unhone zyada kuch nahi pucha aur jab maine unse pratiksha ko yaha bhej dene ke liye kaha to unhone fauran hi pratiksha ko bhejne ke liye haan kah diya. Jabki tum to kah rahe the ki wo nahi bhejengi.?"

"Pahle ye bataao ki tumhare charan kaha hain.?" Dushyant ne chakit bhaav se puchha.
"Charan.????" Vidhi uski is baat par chaunki.
"Haan charan." Dushyant ne kaha______"Main tumhare charno me natmastak hona chaahta hu devi ji."

"Ab ye kya bol rahe ho tum.?" Vidhi ne apne dono hath kamar par rakhte huye use ghoor kar kaha.
"Chhodo jane do." Dushyant ne gahri saans li______"Mujhe lagta hai ki ab mujhe chup chaap apne kamre me ja kar so jana chahiye. Waise lagta nahi hai ki aaj raat mujhe neend aayegi."

Dushyant kahne ke sath hi sofe se utha aur bhaari kadmo ke sath vidhi ki koi baat sune bina hi seedhiyo ki taraf badh gaya. Uske is tarah jane se vidhi ke hotho par muskaan ubhar aayi aur fir wo bhi uske pichhe pichhe chal padi.
 
Bᴇ Cᴏɴғɪᴅᴇɴᴛ...☜ 😎
1,621
5,929
143
BEGUNAAH
Update - 22


Ab Tak,,,,,,,

"Ab ye kya bol rahe ho tum.?" Vidhi ne apne dono hath kamar par rakhte huye use ghoor kar kaha.
"Chhodo jane do." Dushyant ne gahri saans li______"Mujhe lagta hai ki ab mujhe chup chaap apne kamre me ja kar so jana chahiye. Waise lagta nahi hai ki aaj raat mujhe neend aayegi."

Dushyant kahne ke sath hi sofe se utha aur bhaari kadmo ke sath vidhi ki koi baat sune bina hi seedhiyo ki taraf badh gaya. Uske is tarah jane se vidhi ke hotho par muskaan ubhar aayi aur fir wo bhi uske pichhe pichhe chal padi.

Ab Aage,,,,,,


"Ye kaun si jagah hai jai.?" Saundarya ne apne charo taraf nazre daudaate huye puchha______"Kab se puch rahi hu tumse aur tum ho ki aise chup ho jaise kisi ne tumhe chup rahne ka shraap de diya ho."
"Ye aisi jagah hai dear." Jai ne palat kar uski taraf dekhte huye kaha_____"Jaha par uske aadmi hamare hone ke bare me soch bhi nahi sakte. Thik waise hi jaise waha ke bare me nahi soch sakte hain jaha abhi ham rah rahe hain."

"Tumhara bhai vijay itna shaatir hoga main to soch bhi nahi sakti thi jai." Saundarya ki aankho ke saamne purani yaado ki kuch tasvire maano badi tezi se flash hoti chali gayi thi. Fir sochne wale andaz se boli______"Lekin tumne abhi tak ye bhi to nahi bataya ki ham yaha aaye kyo hain...aur yaha aas paas koi door door dikhaayi kyo nahi de raha.?"

"Abhi ham apni manzil par pahuche kaha hain dear." Jai ne shaant bhaav se magar saamne ki taraf dekhte huye kaha_____"Bas kuch der intzaar karo. Uske baad sab samajh jaaogi."
"Wo to thik hai magar dekho to yaha kitna sunsaan lag raha hai." Saundarya ne idhar udhar nazar ghumate huye kaha_____"Aisa lagta hai jaise yaha koi insaan to kya balki koi parinda bhi rahna pasand nahi karta hoga aur tum kah rahe ho ki yaha kahi hamari manzil hai. Tum kuch batate kyo nahi mujhe.? Mujhe to yaha ka watawaran dekh kar bahut ajeeb sa lag raha hai."

"Isi liye to kah raha hu dear." Jai ne kaha______"Ki yaha ke bare me wo aur uske aadmi soch bhi nahi sakte hain. Tumhe to pata hai ki wo kitna shaatir hai. Jab se uski yaad daast gayi hai tab se use apni pichhli zindagi ke bare me kuch pata nahi hai. Hamne use aisi jagah chhoda tha jaha ke bare me uske aadmi na soch sakte the aur na hi kabhi pahuch sakte hain. Haan ye zarur hai ki pichhle do saalo se use kutte ki tarah khoj zarur rahe hoge."

"Ye tum kaise kah sakte ho.?" Saundarya ne jai ki taraf hairaani se dekhte huye kaha tha______"Ki tumhare bhai vijay ke aadmi use kutte ki tarah khoj rahe hoge.?"
"Jo kuch hamne uske sath kiya hai." Jai ne kaha______"Uske baad to yahi hona tha na meri jaan. Wo to achha hua ki wo us time mar nahi gaya tha warna sare kiye karaye par paani fir jata. Kambakht ne unhe pahle hi chhupa diya tha aur hame baad me pata chala. Ab socho agar wo us din mar jata to kya hota.? Aree hame pata hi na chalta ki usne unhe kaha chhupa diya hai.? Ye to hamari achhi kismat hi thi ki mere aadmiyo ke itna maarne ke baad aur use utni uchaayi se fenkne ke baad bhi wo mara nahi tha, sirf uski yaad daast chali gayi thi. Uske baad use uske aadmiyo ki soch aur pahuch se door karna zaruri ho gaya tha warna aaj kahani kuch aur hi hoti."

"Haan ye to main samajhti hu." Saundarya ne apna sir hilate huye kaha______"Magar mujhe abhi tak ye samajh me nahi aaya ki yaha hamari kaun si manzil hai aur ham yaha kis kaam se aaye hain.?"

"Tumhe to pata hai ki main apne kareeb apne aadmiyo ko nahi rahne deta." Jai ne kaha______"Iski vajah ye hai ki main nahi chaahta ki ek chhoti si galti ki vajah se mera koi aadmi police ki pakad me aa jaye. Kyo ki agar aisa hua to police ko mujh tak pahuchne me zara bhi der nahi lagegi. Mere aadmi sirf unki khoj me hain jinhe vijay ne kahi chhupa diya tha. Us din accident me jo aadmi mere sath the wo sab kiraye ke aadmi the. Unko mere bare me kuch nahi pata tha kyo ki us din ham sabne apne chehre ko kaale kapde se dhak rakha tha. Is liye agar unme se koi police ki pakad me aa bhi jata to wo mere bare me police ko kuch nahi bata paate. Lekin agar unki jagah mere aadmi hote aur wo police ki pakad me aa jate to unke dwara police ko mere bare me zarur pata chal jata. Isi liye main har kaam bahut soch samajh kar karta hu. Mere jo original aadmi hain wo sirf unki khoj me lage huye hain jinhe us kambakht vijay ne chhupa rakha hai. Ab raha tumhare is sawaal ka jawaab ki ham yaha kyo aaye hain to uska jawaab ye hai ki yahi par main apne original aadmiyo se hamesha milta hu aur unse saari report leta hu."

"Oh to ye baat hai." Saundarya ne samajhte huye kaha_____"Par mujhe apne sath kyo laye ho yaha.? Iske pahle to kabhi nahi laye the mujhe.?"
"Pahle me aur ab me kafi fark ho chuka hai saundarya." Jai ne is baar gahri saans lete huye kaha______" Pahle mujhe yakeen tha ki vijay ki yaad daast nahi lauti hai is liye uski vajah se tum par koi khatre jaisi baat nahi thi, jabki aaj ki situation me mujhe shak hai ki uski yaad daast laut aayi hogi. Kyo ki us din ke accident se uske sir me chot lagi thi aur aisa aksar hota hai ki aise cases me agar sir ke khaas hisse par fir se chot lag jaye to insaan ki memory waapas aa jati hai. Ab tum khud socho ki agar uski memory laut aayi hogi to use fir apna pichhla sab kuch yaad aa jayega aur usse tumhe khatra bhi ho jayega. Yahi soch kar is baar main tumhe apne sath hi yaha le aaya hu. Main kisi tarah ka koi bhi rishk nahi lena chaahta dear. Tum meri biwi ho aur meri jaan ho, bhala main tumhe kisi khatre me kaise daal sakta hu.?"

"Ohh jai." Saundarya jai ki baate sun kar khushi ke mare usse lipatte huye boli______"Tum sach me mera kitna khayaal rakhte ho. Main kitni khush kismat hu ki mujhe tum jaisa pyar karne wala pati mila hai. Bas ek baar ye sab finish ho jaye uske baad ham dono sukoon se aur azaadi se ek dusre ke sath ji sakege."

"Fikar mat karo meri jaan." Jai ne ekdam se apne jabde kaste huye kaha_____"Ye sab bahut jald finish ho jayega aur use bhi uske kiye ki makool saza milegi. Bas ek baar wo log mere haath lag jaye. Uske baad to sara kissa hi khatam kar duga main."

"Kitni ajeeb baat hai na jai." Saundarya ne jaise kahi khoye huye bhaav se kaha_____"Ek waqt tha jab tum kitne seedhe saadhe aur shaant swabhaav ke hua karte the aur aaj paristhitiyo ne kitna badal diya hai tumhe."

"Is duniya me seedha saada rahne wala aur shaant swabhaav wala insaan kabhi sukoon se nahi ji sakta saundarya." Jai ne gambheerta se kaha______"Ya ye kahu ki aise insaan ko is duniya ke log chain aur sukoon se jine hi nahi dete. Der se hi sahi magar mujhe ye baat samajh aa hi gayi. Ek tarah se ye achha hi hua dear ki main in paristhitiyo me badal gaya warna agar seedha saada hi bana rahta to na tumhari us hawas ke pujari se ijjat bacha pata aur na hi aaj tum ye kah paati ki tum kitni khush kismat ho ki tumhe itna pyar karne wala pati mila hai. Achha insaan banna koi galat baat nahi hai magar mujdil aur kaayar banna nihaayat hi galat baat hai. Mujhe khushi hai ki maine wakt rahte khud ko badal liya jiske chalte aaj tum mujh par garv kar rahi ho warna agar meri bujdili aur kaayarta ki vajah se tumhari ijjat lut jati to main is sansaar me kahi muh chhupane ki jagah bhi na talaash kar pata."

"Jo hota hai sab achhe ke liye hi hota hai jai." Saundarya ne prem bhare lahje me kaha_____"Mujhe is baat ki tumse zara si bhi shikayat nahi hai ki tumne apni fitrat ko badal kar kuch gair kanuni karm bhi kiye hain, balki khushi hai ki tumne galat nahi hone diya."
"Dekho ham apni manzil par pahuch gaye." Jai ne saamne kuch hi doori par aise toote huye khandahar ki taraf dekhte huye kaha jo shayad kisi zamane me kisi raja ki shikaargaah hua karta raha hoga.

Kuch hi der me wo dono us toote huye khandahar ke paas pahuch gaye. Yaha teen taraf se jangal tha. Jis se taraf ye dono aaye the us taraf door door tak pathrili zameen thi. Halaaki pedh paudhe bhi the magar is taraf teen taraf se jangal tha. Pathrili zameen me do pagdandiya thi jo ki ek muddat se aawa gawan ka natija thi. Ye jagah shahar se kaafi door thi. Khandahar ke pichhe taraf ghana jangal tha jabki agal bagal utna ghana nahi tha.

Jai ki maruti suzuki 800 car khandahar ke saamne se aate huye uske bagal se nikal kar pichhe jangal me kareeb das ya bees kadam andar ja kar ruki. Car se kuch hi doori par teen moter sycle khadi nazar aayi use. Car ke rukte hi jai aur saundarya apni apni taraf se darwaze khol kar niche utre aur fir khandahar ke pichhe jangal me hi ek taraf ko paidal chal diye.

Jai ke chehre par to koi bhaav nahi the magar saundarya ke chehre par aise bhaav the jaise wo kuch dari huyi ho. Aas paas jangal se saay saay ki awaaze aa rahi thi. Saundarya baar baar pichhe dekhne lagti thi jaise use dar ho ki koi pichhe se aa kar us par hamla kar dega. Wo jai se bilkul sat kar chal rahi thi. Thodi hi der me wo jangal ke thoda andar ek aisi jagah pahuche jaha par ghaans foos ki chhoti si jhopdi bani thi. Jangal bahut zyada ghana to nahi tha magar door se dekhne par jhopdi nazar nahi aati thi aur na hi koi ye expect kar sakta tha ki yaha jangal me koi aisi jagah bhi kisi ne apne niji kaarya ke liye bana rakha hoga.

Jhopdi ke baahar ek aadmi khada tha. Aadmi jai ki umar se zyada ka tha. Rangal saanwli thi aur chehre par halki daadhi moochh thi. Jai par nazar padte hi uske chehre ke bhaav badle aur bade adab se sir nawaya usne. Jai ne aankho se koi ishara kiya to usne apne sir ko halka sa kham kiya. Jai saundarya ke sath jhopdi ke andar daakhil ho gaya. Jhopdi ke andar do aadmi pahle se maujud the jo bade bade pattharo par baithe huye the. Wo aadmi bhi pahle wale aadmi ke jaisi hi shakl o surat wale the. Jai par nazar padte hi dono uth kar khade ho gaye aur adab se sir nawa kar jai ka abhiwadan kiya.

"Baitho." Ek patthar ki taraf ishara karte huye jai ne saundarya se kaha aur khud bhi ek dusre patthar par baith gaya. Jabki wo dono aadmi khade hi rahe. Pahle wala aadmi jhopdi ke baahar hi tha. Shayad baahar wo aas paas ki nigraani ke liye maujood tha.

"Kaisa chal raha hai sab kaam.?" Jai ne un dono aadmiyo ki taraf dekhte huye puchha______"Aur kya kuch pata chal saka ki vijay ne unhe kaha chhupa ke rakha hai.?"
"Hamne har us jagah talaash kar liya jaha par aapko lagta tha ki vijay ne unhe chhupa rakha hoga." Ek aadmi ne bhaari awaaz me kaha_____"Magar ashcharya ki baat hai ki in dedh saalo me ham unhe talaash nahi kar paye. Samajh me nahi aata ki vijay ne unhe aisi kaun si jagah par nazarband kar diya hai."

"Iske alawa." Dusre aadmi ne kaha_____"Baaki sab kaam waisa hi puri safaayi se chal raha hai jaise ab tak chalta aaya hai. Kahne ka matlab ye ki aaj tak aas paas ke gaavo par bhi na koi akhbaar pahuch saka aur na hi hamare dar se kisi ne police tak ye suchna pahuchane ki himakat ki ke jis aadmi ke bare me jaanne ke liye police ne akhbaar aur news channels par uski photo daali thi use wo jaante hain. Hamare aadmi chaubiso ghante is baat ki nigraani karte rahte hain...magar."

"Magar..??" Jai ke maathe par bal pada.
"Magar yahi ki is sab ko ab aur rokna zara mushkil lagne laga hai." Pahle wale aadmi ne kaha_____"Ab tak to kisi tarah hamne sab kuch samhala hi tha magar kuch din pahle gaav ke teen log ain wakt par pakad liye hamare aadmiyo ne warna wo police tak ye suchna pahucha dete ki avinash naam ke jis shakhs ke bare me wo jaanna chaahte hain use wo log jante hain. Aap to jante hain ki agar aisa ho jata to sab kuch ek jhatke me khatam ho jata."

"Unhe roke rakho ranga." Jai ne kaha______"Fir chaahe uske liye kuch bhi karna pade. Mujhe pata hai ki dedh saalo se is sab ko roke rakhna bahut badi baat hai. Agar hamne itna bada network nahi banaya hota to iske pahle hi sab kuch khatam ho jata. Vijay ke kuch aadmi in dedh saalo me hamare haath lage jinhe badi safaayi se hamne khatam bhi kiya aur unhe gayab bhi kiya magar ek sawaal aaj bhi mujhe hajam nahi ho raha ki vijay ka har aadmi to hamari pakad me aaya nahi hoga. Yaani koi na koi to hamari pakad se baahar hi raha hoga to usne vijay tak pahuchne ki koshish kyo nahi ki.? Jabki hona to ye chahiye tha ki vijay chaahe jaha bhi hota uske paas unhe sabse pahle pahuchna chahiye tha magar aisa nahi hua balki uske kisi aadmi ke pahuchne se pahle hi ham uske paas pahuch gaye the. Sochne wali baat hai ki vijay jaise shaatir insaan ke paas itna bada network tha jisme na jane kitne saare aadmi uske sath the magar jab wo khud aise haal me pahucha to uska koi bhi aadmi uski khabar lene uske paas tak nahi pahuch saka....sawaal hai ki aakhir aisa kaise ho sakta hai.?"

"Jaisa vijay ka character tha usse ho sakta hai ki wo log usse pichha chhudana chaahte rahe ho." Dusre aadmi ne sochne wale bhaav se kaha_____"Vijay ke sath ye sab hone se aur uski yaad daast ke chale jane se mumkin hai ki unhe apne liye ye ek sunahra awsar laga ho is liye awsar ka faayda uthate huye unhone apna khud ka ek alag giroh bana liya hoga. Unhe pata chal hi gaya raha hoga ki aap dono ke bich kya chal raha tha is liye unhone is sab par nazar rakhi hogi aur jab unhone dekha hoga ki aapka bhai vijay aisi haalat me pahuch chuka hai ki ab wo kisi kaam ka nahi raha to unhone fauran hi usse kinara kar ke apna ek alag giroh bana liya ya ye kahe unme se hi kisi ne gang par apna adhikaar jatate huye use apne haath me le liya hoga."

"Ranga thik kah raha hai jai bhai." Dusre aadmi ne purzor lahje me kaha_____"Aisa hi hua hoga warna bahut pahle hi vijay ka koi aadmi ya to vijay ko badi safaayi se hamari nazar se door kar deta ya fir situation ko apne se bhaari hote dekh police ko is sabke bare me suchit kar deta."

"Yakeenan aisa hi hua lagta hai." Jai ne kaha______"Yaani vijay ke aadmiyo ne gang par kabja kar liya aur vijay ko uske haal me chhod diya. Gang ke sare member bhi yahi chaahte rahe hoge isi liye kisi ne koi virodh nahi kiya. Ab jab sara gang ki ek jut ho gaya to ek akela vijay unka kya bigaad lega. Khair ye to hamare liye achhi baat hi huyi magar jinko haasil karna hamare liye sabse zyada zaruri tha wo to aaj tak hamare haath nahi lag sake."

"Ham to shuruaat se ab tak isi dar aur ashanka me rahe jai bhai ki kahi kisi din vijay ka koi aadmi use khoj na le aur ye bhi ki wo sab kuch police ko bata na de." Pahle aadmi ne kaha_____"Par aaj tak aisa kuch bhi nahi hua. Iska to ek hi matlab hua ki vijay ke gang walo ne vijay ke gayab hote hi gang ko apne hath me le liya hai aur vijay ko uske haal par chhod chuke hain. Ya fir ye soch kar use bhula baithe honge ki ek to wo ab kisi kaam ka nahi raha dusre agar uski kabhi yaad daast waapas aayi bhi to akela wo unka kya bigaad lega.? Ye sab hamare liye achha hi hua magar haan is baat ne zarur hame bahut zyada niraash aur hataash kiya hua hai ki usne un logo ko aisi kaun si jagah chhupa diya hai ki ham aaj tak unhe khoj nahi paye."

"Koi baat nahi ranga." Jai ne kaha______"Ham khud unhe nahi khoj paye to kya hua. Ab wo khud hi hame un tak pahuchayega."
"Ye aap kya kah rahe hain jai bhai.?" Ranga ke sath sath dusra aadmi bhi chaunka tha, jabki ranga ne kaha______"Bhala wo khud hame un tak kaise pahuchayega.? Use to apni pichhli zindagi ke bare me kuch yaad hi nahi hai."

"Aisa ham tab tak kah sakte the ranga." Jai ne kaha______"Jab tak ki wo accident nahi kiya tha maine magar ab mujhe lagta hai ki us accident se us par zarur asar hua hoga. Yaani bahut had tak sambhav hai ki uski yaad daast aa chuki hogi. Abhi kyo ki wo chalne firne ki haalat me nahi hai is liye chup chaap hi baitha rahega magar mujhe yakeen hai ki jaise hi wo chalne firne laayak hoga to wo apne asli roop me aa jayega aur fir wo sabse pahle unke hi paas jayega. Kyo ki dedh saalo se wo unse door raha hai to uske man me unke bare me jaanne ki badi tez jigyasa paida hogi. Use is baat ka dar bhi hone lagega ki kahi uski gair maujudgi me ham un tak pahuch na gaye ho aur unke sath kuch bura na kar diya ho."

"Ohh to is liye aap kah rahe hain ki ab wo khud hi hame un tak pahuchayega.?" Ranga ne kaha______"Baat to thik hai aapki lekin agar uski yaad daast waapas na aayi hui hogi to.? Tab to hamare saamne koi raasta hi nahi hoga."

"Police thane me ek police wala apna khabri hai ranga." Jai ne kaha______"Usi se mujhe waha ki saari jankari milti rahti hai. Usi ne bataya tha ki us din accident me uske sir me chot lagi thi aur uska ek haath bhi toot gaya tha. Isi adhaar par main kah raha hu ki us accident se uske sir par jo chot lagi thi usse mumkin hai ki uski yaad daast waapas aa gayi hogi. Ab kyo ki uska haath bhi toot gaya tha is liye abhi wo kahi aa ja nahi sakta magar jab uska haath thik ho jayega tab usme koi na koi badlaav dekhne ko zarur milega. Yaani thik hone ke baad agar wo aisi harkate karta hai jo ab se pahle nahi karta tha to pata chal jayega ki uski yaad daast aa chuki hai. Bas uske baad uska sabse pahla kaam yahi hoga ki wo unke paas jaye aur dekhe ki uske na rahne par un par kisi tarah ki koi baat to nahi aayi hai. Hame usi din ka intzaar karna hai ranga. Abhi to khair wo aisi jagah par hai jaha us police wale ne achhi khaasi security laga rakhi hai. Yaad daast waapas aane ke baad wo waha par chup nahi baithega. Yaani wo waha se bhaag niklega aur seedha unke paas hi jayega. Hamara kaam sirf itna hi hai ki ham us bangle par puri tarah nazar rakhe rahe. Jaise hi wo waha se niklega waise hi ham uske pichhe lag jayege."

"Ye bilkul thik kaha aapne." Ranga ne kaha______"Main shankar ke sath ek aur aadmi ko waha par nazar rakhne ke liye laga deta hu. Ek din me nazar rakhega aur dusra raat me."
"Haan ye thik rahega." Jai ne kaha______"Aur un dono ko samjha bhi dena ki khud kisi tarah ki koi harkat nahi karenge. Unka kaam sirf aur sirf nazar rakhna hai aur phone ke dwara hame waha ki khabar dete rahna hai. Dusri zaruri baat ye bhi ki nazar rakhne ke liye aisi jagah ko chune jaha se wo bangle par achhi tarah se nazar rakh sake aur khud ko police ki nazar se puri tarah bacha ke rakhe."

"Thik hai jai bhai." Ranga ne kaha______"Main un dono ko achhi tarah samjha duga."
"Ab tum log jaao." Jai ne patthar se uthte huye kaha______"Aur baaki ke kaam ko waise hi karte raro jaise ab tak karte aaye ho."

Jai ne khamosh baithi saundarya ko chalne ka ishara kiya to wo chup chaap uth kar uske piche piche chal di. Jhopdi se baahar aa kar jai ne un sabhi logo ko kuch aur bhi zaruri hidaayte di aur fir wo saundarya ko liye us taraf badhta chala gaya jaha par uski car khadi thi. Thodi hi der me wo dono car ke paas aa gaye. Uske baad dono hi car me baith kar waapasi ke liye chal diye.

"Mere liye kitna kuch sahna pad raha hai na tumhe.?" Raaste me saundarya ne jai ki taraf dekhte huye badi masumiyat se kaha tha.
"Baat agar sirf tumhari hi bas hoti." Jai ne sapaat bhaav se kaha______"To main use kab ka jaan se maar deta. Halaaki maine to maar hi diya tha use magar main use maarne ke sath sath kuch aur bhi chaahta tha jo ki na ho saka. Kambakht ko jaise pahle hi shak ho gaya tha is liye unhe chhupa diya. Agar mujhe pata hota ki mere peechhe usne waisa kar diya tha to us din main use jaan se maarne ke liye apne aadmiyo se kahta hi nahi, balki sirf use pakad kar le aane ke liye kahta. Uske baad main khud usse puchhta ki usne unhe kaha chhupa diya hai. Use batana hi padta saundarya. Aakhir apni zindagi sabko pyaari hoti hai."

"Main to dar ke mare mari ja rahi thi jai." Saundarya ne kuch sochte huye kaha______"Ki us jaise khatarnaak aadmi se tum us samay kaise ekdam se bhid gaye the. Agar usne tumhare sath kuch ulta sidha kar diya hota to mera kya hota.? Mujhe to wo waise hi hawas bhari nazro se dekhta tha. Ulta ye kahta rahta tha ki wo mujhse bahut pyar karta hai."

"Wo bhale hi khatarnaak tha saundarya." Jai ne joshile andaaz me kaha______"Magar main uska bada bhai tha. Mana ki main uske jaise shaatir nahi tha magar usse dar kar main tumhe to uski hawas ka shikaar nahi hone deta na. Mere liye wo sab mushkil zarur tha magar namumkin nahi. Khair mujhe kisi cheez ki parwaah nahi hai, balki main khush hu ki maine sahi wakt par apne zameer ki baat suni aur usse tumhari ijjat ki raksha ki."

"Mujhe tum par naaz hai jai." Saundarya ne use balihaari ho jane wali nazro se dekhte huye kaha______"Agar us hawas ke pujari se tum meri raksha na kar pate to fir mere liye jine ka koi matlab nahi rahta. Us gande insaan ke dwara apni ijjat loot liye jane se main ek pal bhi jine ke bare me nahi sochti."

"Jo sachcha hota hai uska bhagwan bhi sath dete hain saundarya." Jai ne kaha______"Ye us upar wale ka hi karam tha ki sahi wakt par sab kuch achha hi hua tha. Ab to bas ek hi cheez ki khwaahish hai ki us haramzade ko apne haatho se uske kiye ki saza du aur jinhe usne chhupa ke rakha hai wo mere haath lag jaye."

"Aisa zarur hoga mere babu." Saundarya ne kaha______"Aur aaj ke halaat ko dekh kar yahi lagta hai ki aisa bahut jald hoga. Uske baad kisi cheez ka na dar rahega aur na hi hame kahi chhipne ki zarurat hogi. Balki ham dono ek sath apne us ghar me rahne lagege jis ghar ko hamne apne prem se saja kar taiyaar kiya tha."

Car apni speed se chali ja rahi thi aur ye dono apni prem bhari baate karte ja rahe the. Kareeb ek ghante baad ye dono apne us ghar me pahuche jaha ye dono aaj kal rahte the. Safar ki thakaan thi is liye dono ne pahle thoda araam kiya uske baad dono ek sath bathroom me ghus gaye. Bathroom me pahuchte hi dono ne fatafat apne apne kapde utaare aur puri tarah nange ho gaye. Dono ne pahle ek dusre ke nange jism ko dekha aur fir dono ki nazre aapas me takraayi. Aankhe mili to fir dono ke hotho ko aapas me mil jane me zara bhi der na huyi. Jai ne paas hi diwaar par lagi nalki ko ghuma diya jisse upar se dono ke nange jismo par thande thande paani ki fuhaar padne lagi. Paani ki thandi fuhaare dono ke garam ho rahe jismo ko thanda karne ke liye nakaam thi. Thodi hi der me kaam kreeda me doobi dono hi aahe aur siskaariya bathroom ke andar goojne lagi thi.
 
Bᴇ Cᴏɴғɪᴅᴇɴᴛ...☜ 😎
1,621
5,929
143
BEGUNAAH
Update - 23


Ab Tak,,,,,,
"Mujhe tum par naaz hai jai." Saundarya ne use balihaari ho jane wali nazro se dekhte huye kaha______"Agar us hawas ke pujari se tum meri raksha na kar pate to fir mere liye jine ka koi matlab nahi rahta. Us gande insaan ke dwara apni ijjat loot liye jane se main ek pal bhi jine ke bare me nahi sochti."

"Jo sachcha hota hai uska bhagwan bhi sath dete hain saundarya." Jai ne kaha______"Ye us upar wale ka hi karam tha ki sahi wakt par sab kuch achha hi hua tha. Ab to bas ek hi cheez ki khwaahish hai ki us haramzade ko apne haatho se uske kiye ki saza du aur jinhe usne chhupa ke rakha hai wo mere haath lag jaye."

"Aisa zarur hoga mere babu." Saundarya ne kaha______"Aur aaj ke halaat ko dekh kar yahi lagta hai ki aisa bahut jald hoga. Uske baad kisi cheez ka na dar rahega aur na hi hame kahi chhipne ki zarurat hogi. Balki ham dono ek sath apne us ghar me rahne lagege jis ghar ko hamne apne prem se saja kar taiyaar kiya tha."

Car apni speed se chali ja rahi thi aur ye dono apni prem bhari baate karte ja rahe the. Kareeb ek ghante baad ye dono apne us ghar me pahuche jaha ye dono aaj kal rahte the. Safar ki thakaan thi is liye dono ne pahle thoda araam kiya uske baad dono ek sath bathroom me ghus gaye. Bathroom me pahuchte hi dono ne fatafat apne apne kapde utaare aur puri tarah nange ho gaye. Dono ne pahle ek dusre ke nange jism ko dekha aur fir dono ki nazre aapas me takraayi. Aankhe mili to fir dono ke hotho ko aapas me mil jane me zara bhi der na huyi. Jai ne paas hi diwaar par lagi nalki ko ghuma diya jisse upar se dono ke nange jismo par thande thande paani ki fuhaar padne lagi. Paani ki thandi fuhaare dono ke garam ho rahe jismo ko thanda karne ke liye nakaam thi. Thodi hi der me kaam kreeda me doobi dono hi aahe aur siskaariya bathroom ke andar goojne lagi thi.

Ab Aage,,,,,,


Upar apne kamre me jane se pahle inspector dushyant ne avinash se uska haal chaal lene ka socha tha. Avinash ke kamre ka darwaza andar se band hi tha is liye dushyant ne darwaze par knock kiya tha. Kuch der baad avinash ne darwaza khola to dushyant ne darwaze par khade ho kar hi usse uska haal chaal puchha tha.

Accident par chot lage huye kuch din guzar gaye the. Avinash ke baaki ke zakhm to ab lagbhag thik ho chuke the lekin haath me abhi bhi plaster chadha hua tha. Dushyant ke puchne par avinash ne badi shaleenta se bataya tha ki wo ab pahle se kafi behtar mahsus kar raha hai aur chaahta hai ki thik hone ke baad fir se wo uska driver ban kar uske sath rahe. Dushyant ne uski taraf kafi dhyaan se dekha tha aur uske bolne ke sath sath uske aav bhaav ko bhi baariki se note kiya tha. Use kahi se bhi avinash par koi badlaav mahsus nahi hua tha. Dushyant ke zahen me khayaal ubhra ki ya to uski memory waapas nahi aayi hai ya fir wo itna ghuta hua shakhs hai ki apne chehre par zara sa bhi aise bhaav zaahir nahi hone deta jo uski waastvik sthiti ko ujaagar kar de.

Avinash se uska haal chaal puchhne ke baad dushyant apne kamre me aa gaya tha. Uske pichhe hi aayi vidhi pahle hi apne kamre me ja chuki thi. Idhar apne kamre me pahuch kar dushyant ne kamre ka darwaza band kiya aur fir apne kapde utaarne ke baad night dress pahan kar bed par let gaya. Aankho me neend filhaal nahi thi is liye bed par seedha leta hua wo chhat par jhool rahe pankhe ko dekhte huye kinhi khayaalo me gum ho gaya. Use cigarette ki talab mahsus huyi lekin fir use yaad aaya ki usne vidhi se cigarette chhod dene ka promise kiya tha. Halaaki cigarette ki lat itna jaldi chhutti nahi hai magar iske baavjud wo koshish kar raha tha ki wo jitna ho sake kam hi cigarette piye.

Khayaalo me gum dushyant ke zahen me kayi saari baate chal rahi thi. Sabse pahle wo avinash ke bare me sochne laga tha ki kaise shuru me usne avinash ko mrs babita ke yaha se chori aur unki bahu ke sath chhed chhaad karne ke jurm me giraftaar kiya tha aur fir kaise usne thaane me avinash ki dhunaayi ki thi. Uske dwara ki gayi dhunaayi ke baavjud avinash last tak yahi kahta raha tha ki usne waisa kuch bhi nahi kiya jiske liye use pakad kar laya gaya tha aur fir uski dhunaayi ki gayi thi.

Avinash ke maamle ko khaas tarah se notice karne wala dushyant hi tha. Usi ne is baat par gaur kiya tha ki agar avinash ne wo jurm nahi kiya tha to aakhir kisne kiya tha.? Mrs babita apne hi ghar ki ijjat ko yu uchhaal kar bhala kyo use fasaati.? Baad me jab usne khud is baat ki baariki se puchtaanchh ki to use yahi lagne laga tha ki na to avinash apni jagah galat tha aur na hi mrs babita, magar kyo ki waisa kaand hua tha is liye ye sawaal apni jagah swabhaavik roop se khada hi ho jata hai ki aakhir wo sab kiya kisne tha.? Dushyant ke andar is sawaal ne aisa asar dala tha ki usne is maamle ki tah tak pahuchne ka soch liya tha. Ye jaante huye bhi ki ye ek aisa maamla hai jo na to police ki kisi file me darz karaya gaya hai aur na hi iske bare me pata karne ke liye kisi ne koi FIR darz karwaya tha.

Dushyant ne jab is maamle ki tah tak pahuchne ka socha tha to usne sabse pahle apne muh lage hawaldaar bhanu singh ko avinash ka pata lagane ka kaam saumpa tha magar mahine bhar bhatakne ke baad bhi avinash ka pata nahi lag saka tha. Uske baad jab usne ye socha ki chhodo is maamle me kaun apna sir khapaye to sanyogwash fir se uska saamna avinash se ho gaya tha. Shahar ke dusre ilaake me uska dost yaswant jo ki uske hi department se tha, usse jab wo ek din milne gaya to uske thaane me avinash use usi jurm me pakda hua mil gaya tha jis jurm me usne use mahine bhar pahle pakda tha. Uske baad usne apne dost yaswant ko avinash ke bare me saari kahani bataayi thi aur fir ye tay hua ki ab wo avinash ko apne sath hi rakhega aur dekhega ki kaun use agli baar aise jurm me fasata hai. Dushyant ko laga tha ki agli baar jab avinash ke sath aisa kuch hoga to wo us shakhs ko pakad lega jo use ek hi jurm me fasata tha magar aisa kuch bhi nahi hua balki uske baad to fir aisa kuch hua ki wo khud hi is maamle me ulajh kar rah gaya tha.

Dushyant ke puchne par avinash ne jab apni kahani bataayi thi tab use samajh aaya tha ki maamla itna asaan nahi hai jitna ki wo samajh raha tha. Uske baad se ab tak kya kya hua sab kuch dushyant ki aankho ke saamne jaise kisi video film ki tarah flash hota ja raha tha. Shuru se ab tak ka sara waakya uski aankho ke saamne flash hota ja raha tha. Isi kahani me uski mulakaat vidhi se huyi jise dekh kar pahli baar uske dil ne cheekh cheekh kar usse kaha tha ki yahi hai wo ladki jiski use talaash thi.

Vidhi ka khayaal aaya to uski aankho ke saamne vidhi ka masoom aur khubsurat chehra ubhar aaya aur ab tak ki saari baate ek ek kar ke uski aankho ke saamne kisi film ki tarah chitrit hoti gayi jo uske aur vidhi ke beech huyi thi. Aaj vidhi ne jo kuch kiya tha usse wo buri tarah hil gaya tha. Use yaad aaya ki kitne aatm-vishwaas aur hak se vidhi ne usse uska mobile chheena tha aur fir usne uski maa se baat ki thi. Us wakt uski jo haalat huyi thi waisi haalat uski aaj se pahle kabhi na huyi thi. Bed par leta hua dushyant is sabke bare me soch kar ekdam se romanchit sa ho gaya tha. Uske hotho par anayaas hi ek gahri muskaan ubhar aayi thi. Uske andar mithi si lahar daudne lagi jo use bada sukhad ahsaas de rahi thi.

Dushyant ko is baat ka ranz nahi tha ki uske pyaar ko vidhi ne accept nahi kiya tha balki is baat ki khushi hoti thi ki dosti ke rishte se hi sahi magar vidhi usse aisi baate to karti hai jiski vajah se uska rom rom mithe aanand se bhar jata hai. Vidhi ka ek patni ki tarah us par hak jatate huye daatna use bahut achha lagta tha. Shaam ko uske aane par jab vidhi use ekdam se chup aur badli huyi dikhi thi to uske is badle huye roop ko dekh kar jane kyo use dar sa lag gaya tha. Use aisa prateet hua tha jaise uske dil me ek dard ki lahar daud gayi ho. Us wakt use lag raha tha ki aisa wo kya kar daale jiski vajah se vidhi ka murjhaya hua chehra kisi taaze khile huye gulaab ki maanind khil uthe.

Chhat par jhool rahe pankhe ko aplak ghoorte huye dushyant ke zahen me achanak se sawaal ubhra ki kya wo vidhi se is kadar mohabbat karne laga hai ki ab wo use ek pal ke liye bhi udaas nahi dekh sakta.??? Is sawaal ke bare me jab usne gahraayi se socha to use khud hi iska jawaab mil gaya. Use apne dil ke cheekhne ki awaaz saaf sunaayi de rahi thi jo ye kah raha tha ki 'Haan wo usse bepanaah mohabbat karne laga hai aur ab wo uske bina ek pal bhi nahi rah sakta.'

Bed par lete huye dushyant ne ek gahri saans li aur fir usne karwat le li. Man hi man usne bhagwan ko yaad karte huye kaha 'Aagar uske prati itni hi chaahat jaga di hai tumne to use meri zindagi me puri tarah se shaamil bhi kar dena bhagwan. Ab agar aisa hua ki wo mere naseeb me hi na ho to yaad rakhna teri di huyi is zindagi ko khatam karne me ek pal bhi raayga na karuga.'

Yahi sab sochte huye dushyant ki jaane kab aankh lag gayi aur wo neend ki aagosh me chala gaya. Udhar apne kamre me bed par leti vidhi ki aankho me bhi neend nahi thi. Uske zahen me baar baar wo sab baate chalne lagti thi jo abhi kuch der pahle phone par usne ki thi. Ye sach hai ki dushyant ki maa se baat karne ke liye usne dushyant se mobile chheen to liya tha magar andar hi andar uska dil bhi zoro se dhadakne laga tha. Magar fir usne jaise khud ko samhaala aur fir apne andar aatmvishwaas ko paida kar ke baate ki thi. Usne dushyant ki maa ko aunty kahne ke bajaay 'Maa ji' kaha tha. Us wakt uske andar mithi mithi si gudgudi ka abhaas ho raha tha. Use aisa prateet ho raha tha jaise wo sach me use apna samajh rahi ho aur pure hak se unse baat kar rahi ho.

Vidhi mobile par huyi us baat cheet ko baar baar yaad kar rahi thi aur anyaas hi uske gulaabi hotho par muskaan ubhar aati thi. Apne kamre me bed par let kar uska dushyant ke bare me sochna roz ka kaam tha aur use achhi tarah is baat ka ahsaas tha ki dushyant use kis kadar chaahta hai. Shuru me use ye sab ajeeb laga tha aur uske man me ye baat bhi aayi thi ki dushyant shayad use akeli jaan kar aur uski daulat dekh kar usse pyaar ka dikhawa kar raha hai magar jaise jaise wakt guzarta gaya aur dushyant se uski baate hoti gayi waise waise use bhi samajh aane laga tha ki dushyant ka pyaar dikhawa nahi hai balki wo sach me use behad pyaar karta hai. Wo koi bachchi nahi thi jo itne dino me kisi purush ki mansha ko na samajh paye.

Dushyant ke sath uska ruthna aur use daatte rahna. Baato baato me use buddhu kahte rahna ye sab wo jaan bujh kar karti thi aur dekhti thi ki uske aise bartaav par dushyant kaise react karta hai. Ek tarah se wo aisa kar ke dushyant ke character ka pata lagaati thi aur ye bhi dekhti thi ki uski aisi baato par dushyant usse naraaz hota hai ya use khushi se sahan karta hai. Har ladki yahi chaahti hai ki uska chaahne wala aisa ho jo uske har naaz nakhre ko khushi se sahan kare. Uski care kare aur kabhi uske chehre par udaasi na aane de. Dushyant vidhi ki aajmaaish me puri tarah pass ho chuka tha. Uske mom dad ke jane ke baad jis tarah se dushyant uske sath tha wo sab use achhe se yaad tha aur wo is sabke baare me gahraayi se sochti bhi thi.

Vidhi ko pata hi nahi chala ki kab uske dil me dushyant ke liye khaas jagah ban gayi aur uske bare me sochte hi uske andar meetha sa ahsaas hone lagta tha. Akele me aksar wo is bare me sochti rahti. Der se hi sahi magar use ahsaas ho hi gaya ki wo bhi dushyant ko chaahne lagi hai magar is baat ko khul kar dushyant ke saamne zaahir karne me use sharm aati thi. Use samajh nahi aata tha ki wo kis tarah dushyant ko apne andar ki feelings ke bare me bataye.? Dosti ke rishte me wo dushyant se rooth bhi jaati thi aur use daatti bhi thi jo ki uske liye zara bhi mushkil nahi hota tha magar apne andar panap chuke pyar ko wo dushyant ke saamne rakhne se jhijhakti thi aur use behad sharam bhi aati thi. Usne kayi baar aisa karne ke liye socha bhi magar dushyant ke saamne aate hi uski himmat jawaab de jati thi. Tab usne yahi socha ki jaisa chal raha hai waisa hi chalne do. Aise me kam se kam wo dushyant se khul kar baate to kar leti hai. Dusri baat dushyant ko daatne me aur use satane me use maza bhi aata tha.

Vidhi ne aaj dushyant se uski family ke bare me puchha tha. Wo jaanna chaahti thi ki uski family me kaun kaun hain. Uske puchne par jab dushyant ne apni family ke bare me bataya to pratiksha ke roop me use ek jariya nazar aaya. Jo uske andar chhupe pyar ko dushyant ke saamne laane me uski help kar sakti thi. Use yakeen nahi ho raha tha ki usne itne aatmvishwaas ke sath dushyant ki maa se baat ki aur fir pure hak ke sath unse pratiksha ko bhej dene ki baat bhi kahi. Baad me jab usne apni baato ke bare me socha tha to use khud par behad hairaani huyi thi aur ye soch kar behad sharam bhi aayi thi ki dushyant ki maa ne kya socha hoga uske bare me.? Kahi unhone ye to nahi soch liya hoga ki kitni besharm ladki hai.?

Bed par karwate badalte huye vidhi ke zahen me yahi sab baate chal rahi thi aur uske dil ki dhadkane kabhi ruk si jaati to kabhi zoro se chalne lagti thi. Jane kitni hi der tak wo inhi sab baato ke bare me sochte huye khayaalo me gum rahi fir aise hi wo neend ki aagosh me chali gayi.

<>•<>•<>

Agli subah fresh hone ke baad dushyant aur vidhi ne saath hi naasta kiya. Avinash ke liye naasta uske kamre me hi dushyant de aaya tha. Naaste ke dauraan dushyant ne vidhi se kaha ki use zaruri kaam se jana hai to ho sakta hai ki aane me der ho jaye is liye wo apne wakeel uncle se mil le aur use jo behtar lage wo unse baat kar le. Uski baat par vidhi ne thik hai kaha aur fir use yaad dilaate huye kaha ki wo pratiksha ko lene station zarur chala jayega. Vidhi ki is baat par dushyant ne haan me sir hila diya tha. Use ab bhi samajh me nahi aa raha tha ki vidhi ne uski bahan ko yaha bulane par itna zor kyo diya tha.?

Naasta karne ke baad dushyant ne apni police ki cap uthaayi aur fir vidhi ko apna khayaal rakhne ko bol kar baahar nikal gaya. Jabki vidhi ne uske jane ke baad darwaze ko andar se band kiya aur fir joothe bartan utha kar kitchen ki taraf chali gayi. Uske man me pratiksha ke aane ki baat se ajeeb si halchal hone lagi thi aur sath hi ye soch kar uska dil bhi dhadakne laga tha ki pratiksha ke aane ke baad wo usse kaise is bare me baat karegi ki wo uske bhai ko chaahti hai.?

Vidhi ke bangle se nikal kar dushyant ne apni gipsy ko start kiya aur thane ki taraf chal diya. Kuch hi samay me wo thane pahuch gaya. Thane ke andar aaya to sabhi police walo ne use salute kiya jiska jawaab dete huye wo seedha apne cabin me chala gaya. Abhi wo apne cabin me pahucha hi tha ki uska muh laga hawaldaar bhanu singh uske pichhe cabin me aa dhamka.

"Bade dino baad darshan diye sahab ji." Bhanu ne meethe swar me kaha______"Aisa lagta hai ki us avinash ke chakkar me aapne ham sabko bhula hi diya hai."
"Aisi koi baat nahi hai pyare." Kursi par baithte hi dushyant ne apne chir parichit andaaz me kaha______"Bhala tum sabko bhula kar ham jayege kaha.? Khair tum bataao ki tumhe jo kaam hamne saupa tha uska kuch kiya tumne ya bas araam hi farmaate rahe.?"

"Aisa kaise ho sakta hai sahab ji.?" Bhanu ne is tarah kaha jaise dushyant ne aisa bol kar uski wafadaari par sawaal khada kar diya ho______"Aapka ye daas bina khaye piye to rah sakta hai magar aapke hukum ki tameel na kare aisa kabhi nahi kar sakta."

"To fir bina koma viraam lagaye shuru ho jaao dear." Dushyant ne halki muskaan ke sath kaha.
"Aapne jo kaam hame diya tha." Bhanu ne dushyant ke aur bhi kareeb aate huye thodi dheemi awaaz me kaha______"Hamne us kaam ko bahut hi bariki se aur bahut hi saavdhani se kiya hai magar....!"

"Ab ye magar yaha kaha se aa gaya pyare.?" Dushyant ne cigarette ke packet se ek cigarette nikaalte huye kaha______"Wo to paani me rahta hai na."
"Magar ye sahab ji ki hame us kaam me kuch bhi aisa waisa pata nahi chala jaise ki aapne shanka ki thi." Bhanu ne usi dheemi awaaz me kaha______"Matlab ki vikrant sahab ji ki gatividhiya aisi bilkul bhi nahi hain jisse ye lage ki wo kisi se mile huye hain. Pichhle chaar din se main barabar un par nazar rakhe huye tha. Yaha tak ki aapke kahne par main aapke flat me bhi gaya tha jab wo yaha thane par hi the. Aapne apne flat ki mujhe chaabhi di thi to usi chaabhi se main aapke flat me gaya aur fir waha vikrant sahab ji ke kamre ki talaashi li thi. Unke kamre me kuch bhi aisa nahi mila jisse kisi tarah ka un par shak zaahir kar sake aur to aur jis dusre mobile ke bare me aapne bataya tha wo bhi nahi tha waha par. Uske baad maine ek din chupke se unke mobile me bhi dekha ki unke mobile me do sim card hain ki nahi to pata chala ki do sim card hi hain jo ki dono hi number ham sabki jankari wale hi hain. Iske baavjud maine unke dono numbers ki call details nikalwaayi hai."

"Ohh wo call details kaha hain is wakt.?" Dushyant ne cigarette ka gahra kash lene ke baad puchha.
"Wo to mere paas hi hain sahab ji." Bhanu ne apni shirt ke andar se kuch kaagaj nikaalte huye kaha______"Maine bahut samhaal kar rakhe the.....ye lijiye."

"Tumhara kaam hamesha ki tarah bahut badhiya hai bhanu pyare." Dushyant ne uske haath se un kaagajo ko lete huye kaha______"Isi liye to ham tumhe itna pasand karte hain. Waise tumhare vikrant sahab ji thane me dikhaayi nahi diye. Abhi tak aaye nahi kya.?"

"Aaye the sahab ji." Bhanu ne jhat se kaha_______"Aapke aane ke thodi der pahle hi jeep le kar kahi nikal gaye hain."
"Ohh kya akele hi nikal gaye.?" Dushyant ne un kaagajo se nazar hata kar bhanu ki taraf dekhte huye puchha.
"Nahi sahab ji." Bhanu ne kaha______"Wo apne sath do hawaldaaro ko le kar gaye hain."

"I see." Dushyant ne kaha______"Kya koi naya case aaya hai thane me.?"
"Kal dopahar ko ek aadmi aaya tha sahab ji." Bhanu ne jaise yaad karte huye kaha______"Usne rapat likhwaayi thi ki uska bhatija uski bahu ko le kar bhaag gaya hai. Ho sakta hai vikrant sahab ji usi ke silsile me gaye hoge."

"Hmmm." Dushyant ne kaha______"Chalo thik hai pyare. Ab tum jaao. Ham bhi zara is call details ko check kar le."
"Thik hai sahab ji." Bhanu kahne ke sath hi palat kar cabin ke darwaze ki taraf badha lekin tabhi wo sahsa palta aur fir bola______"Sahab ji din me ek baar thane zarur aa jaya kijiye. Aap nahi rahte yaha to achha nahi lagta hame."

Bhanu ki is baat par dushyant ne uski taraf dekha aur fir muskurate huye sir hila diya. Bhanu apne chahete sahab ka jawaab dekh kar khud bhi muskuraya aur fir cabin se baahar chala gaya. Uske jane ke baad dushyant un kaagajo ko dhyaan se dekhne laga. Kareeb aadhe ghante baad usne un kaagajo ko table me bane ek locker me dala aur use lock kar diya. Uske baad wo apni cap le kar cabin se baahar ki taraf chal diya. Thane me bhanu ko zaruri hidaayate de kar wo thane se baahar nikal gaya. Kuch hi der me uski police gipsy sadak par daudti huyi ja rahi thi.

Kareeb aadhe ghante ki drive ke baad dushyant ki gipsy jis jagah ruki uske right side par police thana nazar aa raha tha. Gipsy se utar kar dushyant thane ke andar chala gaya. Jaha par sub inspector yaswant uske hi intzaar me khada dikha. Dono ne ek dusre se haath milaya aur fir yaswant use apne sath andar ki taraf le gaya. Is beech yaswant ne ek hawaldaar ko chaay lane ke liye bol diya tha.

"Isse pahle ki tum apni bakwaas shuru karo." Dushyant ko kursi par baithne ka ishara karte huye yaswant ne kaha______"Main tumhe bata du ki badi mushkil se mere hath ek suraag laga hai."

"Jug jug jiyo pyare." Dushyant ne muskurate huye kaha____"Kam se kam do darjan bachche ho tumhare aur tumhara jiwan bhar khoon pite rahe wo saare."
"Tum baaz nahi aaoge na." Yaswant ne use ghoorte huye kaha.
"Tum kisi suraag ki baat kar rahe the my dear." Dushyant ne jaise use yaad dilaya_____"Hamari bakwaas par dhyaan na dete huye fatafat shuru ho jaao. Ham jaanna chaahte hain ki hamari gule gulzaar ke haath aisa kaun sa suraag laga hai jiske tahat ham palak jhapakte hi us pardanashi ke paas pahuch sakte hain."

"Pardanashi ke paas pahuchne ka to nahi pata." Yaswant ne kaha______"Magar suraag ye hai ki tumhare departmemt ka jo police wala us naqaab wale se mila hua hai uska pata chal gaya hai. Tumne apne thaane ke sabhi police walo ki talaashi lene ka kaam diya tha is liye pahle maine socha tha ki main apne aadmiyo ko unki talaashi ka kaam saupuga magar fir maine socha ki ye unke bas ka nahi ho sakta. Is liye maine apni pahchaan ke ek detective ko is kaam par laga diya. Maine us detective ko tumhare thane ke sabhi police walo ki photo aur unka address de diya tha aur kaha tha ki kaam itni safaayi se karna hai ki unhe iski zara si bhi bhanak na lage. Bas uske baad wo detective apne kaam par lag gaya. Aaj subah hi uska phone mere paas aaya aur usne bataya ki kaam ho gaya hai. Tab maine tumhe message kiya tha."

"Ye to kamaal ho gaya pyare." Dushyant ke chehre par maano chamak aa gayi thi, bola_____"Ab fatafat ye bhi bata do my dear ki is kaliyug ka wo vibhishan hai kaun jisne hamare thane ko lanka nagri samajh kar use aag lagane ka kaam kiya hai.? Waise hame yakeen hai ki wo vibhishan apna vikrant to hargiz nahi hoga."

"Sahi kaha." Yaswant ne kaha______"Vikrant wo shakhs nahi hai. Us par to bewajah hi shak kiya ja raha tha. Khair wo shakhs tumhare thane ka hi ek hawaldaar hai jisne chand paiso ke liye apne imaan ko bech rakha hai."

"Us haramkhor ka naam bataao pyare." Dushyant ne is baar apni mutthiya kaste huye kaha______"Use department ke sath gaddari karne ki makool saza denge ham."
"Uska naam hawaldaar bhanu singh hai." Yaswant ne ye kah kar maano bomb fod diya.

"Kyaaaaa.????" Dushyant buri tarah uchhal pada. Fir jaldi hi khud ko samhala aur hairaani se bola______"Ye kya kah rahe ho tum.???"
"Main bhi isi tarah uchhla tha jab mujhe uske bare me iska pata chala tha." Yaswant ne kaha______"Aakhir us thaane me tumhare sath main bhi to tha pahle aur mujhe pata hai ki wo tumhare muh laga hua tha magar mujhe yakeen nahi ho raha tha ki wo aisa kar sakta hai."

"Nahi dear." Dushyant ne zor se inkaar me sir hilaate huye kaha_______"Wo aisa kaam nahi kar sakta. Chand paiso ke liye wo apne imaan ko bechne wala aadmi nahi hai. Main use achhi tarah jaanta hu. Zarur tumhare us detective se galti huyi hai."
"Galti ka sawaal hi nahi uthta bhai." Yaswant ne purjor lahje me kaha______"Detective ko wo mobile uske hi ghar se mila hai aur thik usi haalat me chhupaya hua ki dusre insaan ko wo asaani se mil hi nahi sakta tha."

"Aisa bhi to ho sakta hai." Dushyant ne maano tark karte huye kaha______"Ki kisi dusre police wale ne jaan boojh kar use fasane ke liye us mobile ko uske ghar me rakha ho. Usne mobile ko aisi jagah chhupa ke rakha ki jab wo kisi dusre ko mile to wo yahi samjhe ki usne kisi khaas vajah se is mobile ko is tarah chhupa ke rakha hai."

"Mere zahen me bhi ye khayaal aaya tha yaar." Yaswant ne kaha______"Magar fir maine socha ki bhanu ko fasane ke liye us mobile ko koi kyo uske ghar me rakhega.? Aise me to us mobile ke number se saaf pata chal jayega ki us number se naqaab wale ko phone kiya gaya hai. Jabki jo vibhishan bana hua hai wo bhala aisa kar ke naqaab wale tak police ko kyo pahucha dena chaahega.? Naqaab wale se mile huye shakhs ki har sambhav yahi koshish rahegi ki wo jis phone ke dwara naqaab wale se baat karta hai us phone ko wo kisi bhi keemat par kisi dusre ke haath na lagne de....khaas kar police ke haath to bilkul bhi nahi."

"Main tumhaari baat se puri tarah sahmat hu bhai." Dushyant ne kaha______"Magar main is baat ko bhi hajam nahi kar pa raha ki chand paiso ke liye bhanu ne apna imaan bech dega. Uski jagah koi dusra hawaldaar hota to main maan bhi sakta tha ki haan usne aisa kiya hoga. Tum khud bhi is baat ke gawaah ho ki aaj tak bhanu ke bare me hamne aisa nahi suna ki usne kisi se zara si bhi rishwat li ho. Wo to aisa aadmi hai jo mere kahne par khushi khushi apni jaan bhi de sakta hai."

"Haan mujhe pata hai." Yaswant ne kaha______"Magar ye bhi to ho sakta hai ki bhanu ne kisi majburi ke chalte apne imaan ka sauda kiya ho.?"
"Aisi bhala kaun si majburi rahi hogi uski.?" Dushyant ne sochne wale andaaz se kaha______"Jiske chalte usne apne department se gaddari kar ke chand paiso ke liye us naqaab wale ka khabri banna swikaar kiya hoga."

"Ab is bare me pata karna tumhara kaam hai." Yaswant ne sapaat lahje me kaha______"Waise tumhari jankari ke liye bata du ki jis number ke dwara naqaab wale se baat hoti thi wo number farzi hai. Call karne ki location har baar alag hi hoti thi. Aakhiri baar wo number tumhare thane se pachaan meter ki doori par hi active hua tha. Matlab saaf hai ki naqaab wale se baat karne ke baad mobile ko fauran hi switch off kar diya jata tha."

"Zaahir si baat hai." Dushyant ne kaha_____"Koi bhi aisa hi karta. Khair us number se kya naqaab wale ki location pata chali.?"
"Same position uski bhi hai." Yaswant ne kaha_____"Dono numbers ki location change hoti rahti thi. Is liye ye bata pana mushkil hai ki naqaab wale ki real location kya hai. Filhaal to uska bhi number active nahi hai. Ab jaise hi uska number active hoga hame uski present location mil jayegi."

Abhi dushyant kuch bolne hi wala tha ki tabhi ek hawaldaar aaya aur table par chaay se bhare kaanch ke do glass rakh kar chala gaya. Hawaldaar ke jane ke baad dono ne ek ek glass utha liya.

"Hame to isme koi jhol lag raha hai pyare." Dushyant ne chaay ka ek ghoont lene ke baad kaha______"Maamla jitna seedha nazar aa raha hai utna seedha hai nahi."
"Kya matlab.??" Yaswant ne chaay ke glass ko hotho ke kareeb laate hi thithak kar kaha.

"Filhaal to iska matlab hamari samajh se bhi baahar ki baat hai pyare." Dushyant ne kaha_______"Magar itna zarur kah sakte hain ki bhanu singh jaise imandaar policiye ke ghar se us mobile ka milna koi sochi samjhi saazish bhi ho sakti hai."

"Tum aisa is liye kah rahe ho kyo ki tum bhanu singh ko saaf character ka samajhte ho aur kahi na kahi use apna bhi samajhte ho." Yaswant ne kaha______"Jabki ye ek kadwa sach bhi ho sakta hai ki usi ne chand paiso ke liye ya fir kisi majburi ke tahat apna imaan becha aur us naqaab wale ka khabri bana."

"Chalo is baat ka bhi pata lagayege pyare." Dushyant ne gahri saans lete huye kaha______"Waise agar ek pal ke liye ye maan bhi le ki bhanu singh kisi majburi ke chalte us naqaab wale se mila hua tha to uske chehre se kabhi na kabhi to hame aisa kuch nazar aata jisse hame us par shak hota. Bhanu singh koi peshewar mujrim nahi hai balki wo ek simple sa hawaldaar hai. Is liye jab wo is tarah ka kaam karega to wo apne andar ke chor ko chehre par zaahir hone se rok nahi paayega. Dusri baat hamne khud use vikrant par nazar rakhne ke liye kaha tha aur uske paas se aise kisi mobile ke bare me pata karne ke liye kaha tha. Hamare diye huye is kaam ko usne kiya aur hame bataya ki vikrant ke paas aisa koi mobile nahi hai jiske dwara wo naqaab posh se baat karta raha ho. Halaaki uske mobile par do sim card zarur hain jiske dono number ham sabki jankari wale hain aur bhanu ne un dono numbers ki call details bhi nikalwa kar hame di hai. Ab sochne wali baat hai dear ki agar bhediya bhanu singh hi hota to use hamare diye huye is kaam me ye baat zarur nazar aati ki wo us mobile ko vikrant ke paas se mila hua bata deta aur khud saaf bach nikalta. Aakhir itna to use bhi pata hai ki aaj nahi to kal hame is baat ka shak hoga hi ki department ka koi police wala us naqaab posh se mila hua hai aur tab ham thane ke har police wale ki talaashi lege. Is baat ko soch kar wo zarur apne paas se us mobile ko thane ke kisi na kisi police wale ke ghar me plant kar dene ke bare me sochta aur aisa karta bhi magar usne aisa nahi kiya. Iska matlab yahi hua pyare ki wo koi aur hi hai jiske dimaag me yahi sab vichaar aaye aur fir usne us mobile ko bhanu singh ke ghar me kisi tarah plant kar diya. Uska maksad yahi tha ki hamare shak ke anusaar wo bhanu singh ko fasa de aur khud saaf bach jaye."

"Chalo maan liya ki wo bhediya bhanu nahi koi aur hai." Yaswant ne kaha______"Aur usne khud ko bachane ke liye bhanu ko fasa diya magar kya usne ye nahi socha hoga ki jab ham is baare me bhanu singh se puchhege to wo yahi kahega ki kisi ne use fasaya hai.? Wo ye bhi sochega ki us soorat me ham thane ke har police wale par shak karege aur shakhti se unse puchhtaach karege. Der sawer wo hamari puchhtaach se pakda hi jayega."

"Kahna kya chaahte ho pyare.?" Dushyant ne jaise uski baat beech me hi kaatte huye kaha.
"Mere kahne ka matlab ye hai ki agar bhediya koi aur hai to wo kisi dusre police wale ko fasane ke bare me sochega hi nahi." Yaswant ne kaha______"Balki wo to us mobile ko hi destroy kar dene ko best option maanta. Kyo ki jab fasane wala wo saboot hi nahi hoga to wo kis base par fasega ya koi kis base par use pakad sakega.?"

"To tum apni in baato se yahi saabit karna chaahte ho ki bhanu singh hi wo bhediya hai jo us naqaab wale se mila hua hai." Dushyant ne yaswant ki taraf aplak dekhte huye kaha.
"Main kuch saabit nahi karna chaahta bhai." Yaswant ne table par rakhe cigarette ke packet ko uthaate huye kaha______"Main to bas sachchaayi par roshni daalne ka prayaas kar raha hu. Main khud bhi is baat ko nahi maanna chaahta ki bhanu singh naqaab wale se mila hua hai magar ye saari baate aur praapt saboot filhaal usi ki tarah ungli utha rahe hain to bhala ham is sab ko kaise nazarandaaz kar sakte hain.?"
 
Bᴇ Cᴏɴғɪᴅᴇɴᴛ...☜ 😎
1,621
5,929
143
BEGUNAAH
Update - 24

Ab Tak,,,,,,

"Kahna kya chaahte ho pyare.?" Dushyant ne jaise uski baat beech me hi kaatte huye kaha.
"Mere kahne ka matlab ye hai ki agar bhediya koi aur hai to wo kisi dusre police wale ko fasane ke bare me sochega hi nahi." Yaswant ne kaha______"Balki wo to us mobile ko hi destroy kar dene ko best option maanta. Kyo ki jab fasane wala wo saboot hi nahi hoga to wo kis base par fasega ya koi kis base par use pakad sakega.?"

"To tum apni in baato se yahi saabit karna chaahte ho ki bhanu singh hi wo bhediya hai jo us naqaab wale se mila hua hai." Dushyant ne yaswant ki taraf aplak dekhte huye kaha.
"Main kuch saabit nahi karna chaahta bhai." Yaswant ne table par rakhe cigarette ke packet ko uthaate huye kaha______"Main to bas sachchaayi par roshni daalne ka prayaas kar raha hu. Main khud bhi is baat ko nahi maanna chaahta ki bhanu singh naqaab wale se mila hua hai magar ye saari baate aur praapt saboot filhaal usi ki tarah ungli utha rahe hain to bhala ham is sab ko kaise nazarandaaz kar sakte hain.?"

Ab Aage,,,,,,


"Yaha par aisi koi bhi cheez nahi chhutni chahiye saundarya jiski vajah se police ke us inspector ko zara sa bhi hamare bare me kuch pata lage." Kamre se ek bag ko uthaye huye jai ne saundarya se kaha_______"Sara samaan nikaalne ke baad is pure ghar me main jhaadu ponchha lagwa duga aur har us jagah ko acche se saaf karwa duga jaha par hamare hone ka koi saboot ya fir hamare finger prints maujood honge."

"Wo sab to thik hai jai." Saundarya ne apni neele rang ki saadi ke pallu ko thik karte huye kaha______"Magar us inspector ko pata kaise chal gaya tumhare us khabri ke bare me...aur to aur tumhe bhi kaise pata chala is baat ka ki police ko uske bare me pata chal gaya hai aur uske us number ke bare me bhi jis number se wo tumhe khabre deta tha.?"

"Abhi aise sawaal karne ka wakt nahi hai dear." Jai ne sapaat bhaav se kaha______"Hame jald se jald yaha se nikalna hai aur dusri jagah shift hona hai. Filhaal itna jaan lo ki mujhe kahi se is bare me pata chal gaya hai. Tumhe kya lagta hai mere paas waha ki khabar rakhne ka ek wahi bas jariya tha.? Nahi dear aisa nahi hai....main jis raaste par hu aur jis tarah ke kaam kar raha hu usme bahut door tak sochna padta hai aur usi ke anusaar apne bachaav ka raasta bhi taiyar rakhna padta hai. Warna jitna bada police ka network hota hai usse kisi mujrim tak police ko pahuchne me zyada wakt nahi lagta. Khair chhodo ye sab baate aur jaldi se taiyaar ho kar baahar aao. Ghar ke baahar sadak par gaadi hamare intzaar me khadi hai. Hamare yaha se nikalte hi wo log aa jayege aur yaha ki saaf safaayi kar dege. Maine unhe samjha diya hai ki yaha har jagah se hamare finger prints saaf kar de."

"Thik hai tum chalo main bas do minute me aati hu." Saundarya ne kaha_______"Mujhe badi zoro ki su su lag aayi hai. Is liye kar ke aati hu."
"Thik hai main baahar intzaar karuga tumhara." Jai ne kamre ke darwaze ki taraf palatte huye kaha_______"Zyada der mat lagana."

Jai ke jane ke baad saundarya bathroom me ghus gayi. Kuch der baad wo aayi aur ek baar fir se aadamkad aayine me khud ko dekha aur fir kamre me ek baar sarsari si nazar daudate huye kamre se baahar nikal gayi. Ghar se baahar ek tempo aur ek car khadi thi. Tempo me ghar ka sara samaan load tha jabki uske aage khadi car ke paas jai khada tha. Tempo ke paas do teen aadmi aur khade the aur do aadmi ghar ke mukhya darwaze ke paas khade the. Saundarya ke aate hi jai ne car ka darwaza khola to saundarya uske andar baith gayi. Uske baithne ke baad jai ne darwaza band kiya aur waha khade aadmiyo ko ek baar fir se sab kuch samjhane ke baad wo bhi car ki driving sheet par aa kar baith gaya.

Jai ne car ko start kiya aur aage badha diya. Uske pichhe wo tempo bhi start hone ke baad chal pada. Unke jate hi ghar ke mukhya darwaze par khade wo dono aadmi ghar ke andar daakhil ho gaye. Shayad ye wahi aadmi the jinhe jai ne ghar ki saaf safaayi aur har jagah se apne aur saundarya ke finger prints mita dene ke liye kaha tha.

"To ab ham kis jagah ja rahe hain.?" Raaste me saundarya ne jai ki taraf dekhte huye puchha.
"Mujhe pata tha ki ek na ek din police ko is bare me shak zarur hoga." Jai ne kaha______"Aur wo is baat ka pata bhi zarur lagayegi ki uske department me kaun aisa byakti hai jo uske har kriyakalaap ki khabar mujhe deta hai. Ye sab soch kar maine pahle hi hamare rahne ke liye ek dusri jagah talaash kar li thi. Bas intzaar us din ka tha jab us inspector ko is bare me pata chale aur mujhe bhi pata chal jaye ki inspector ko is sabka pata chal chuka hai."

"Kya dusri jagah bhi is jagah jaisi hai.?" Saundarya ne utsuk bhaav se puchha______"Mera matlab ki jaise yaha par hamare aas paas koi nahi tha waise hi wo jagah bhi aisi hi hai kya.?"
"Main kisi abaadi wali jagah par rahne ki moorkhata nahi kar sakta dear." Jai ne ek nazar saundarya ki taraf daalne ke baad kaha______"Kyo ki abaadi wali jagah par rahne se insaan dusre logo ki nazar me aa jata hai aur na chaahte hu bhi insaan ko dusre logo ke sath mel milaap rakhna hi padta hai. Tum samajh sakti ho ki aise me koi bhi byakti kisi ko bhi hamare bare me bata sakta hai, jabki hamari sabse pahli aur aakhiri koshish yahi hai ki ham kisi ki nazar me na aaye jisse ki baad me koi hamare bare me kisi ko kuch bata sake. Is liye maine aisi hi jagah ko chuna tha jaha par abaadi to ho magar na ke barabar. Halaaki aisi jagah bahut kam hi milti hai. Kyo ki koi bhi insaan apne rahne ke liye aisi jagah par ghar nahi banayega jaha dusra koi rahta hi na ho. Ham abhi jaha par the wo shahar ki abaafi se door ek farmhouse tha. Farmhouse me log tabhi aate hain jab koi khaas mauka hota hai warna insaan to shahar aur abaadi me hi rahta hai."

"To tumhare kahne ka matlab hai." Saundarya ne kaha_____"Ki abhi ham jaha par rahne ja rahe hain wo bhi shahar se door farmhouse jaisi jagah hi hai.?"
"Bilkul sahi samjha tumne." Jai ne halki muskaan ke sath kaha______"Hamare liye aisi hi jagah faaydemand hai dear."

"Achha us number ka kya karoge jis number se tum us police wale se baat kar ke waha ki khabar lete the.?" Saundarya ne kaha______"Tumne bataya tha na ki police ko us khabri ka mobile mil gaya hai to us mobile se use tumhare us number ka pata chal hi jayega. Aise me wo inspector asaani se tum tak pahuch sakta hai."

"Aise kaise mujh tak pahuch jayega wo.?" Jai ne muskurate huye kaha______"Mera wo number farzi tha aur dusri baat ye ki ab na to wo farzi number mere paas hai aur na hi wo mobile jisme wo number daal rakha tha maine. Jaise hi mujhe pata chala ki inspector ke haath wo mobile lag gaya hai waise hi maine wo number mobile ke sath hi tod fod kar samaapt kar diya. Ab jab wo number hi mobile ke sath samaapt ho chuka hai to bhala wo inspector kya kar lega.? Call details nikalwane se bhi koi faayda nahi hoga use. Kyo ki har baar maine alag alag jagah se apne us khabri se baat ki thi. Inspector un saari locations par jayega bhi to use kuch haasil nahi hoga."

"Tum to us inspector ki pahuch se door ho gaye." Saundarya ne halki muskaan hotho par sajate huye kaha______"Magar is sab me tumhara wo khabri to inspector ke haath lag gaya na.? Ab uske sath wo inspector kya kya salook karega iska to shayad ham andaza bhi nahi laga sakte."

"Sulook ka to pata nahi dear." Jai ne rahasyamayi muskaan ke sath kaha______"Magar itna zarur kahuga ki maujuda halaat me inspector ka dimaag chakarghinni bana hua hoga."
"Kya matlab.???" Saundarya ne na-samajhne wale bhaav se uski taraf dekha.

"Matlab ye ki uske department ke jis shakhs ke ghar se use wo mobile mila hai." Jai ne gahri muskaan ke sath kaha_____"Us shakhs ki usne kalpana bhi na ki hogi ki wo shakhs mera khabri hoga. Bas isi baat se wo buri tarah jhatka khaya hoga aur uska dimaag kund sa pad gaya hoga."

"Main kuch samjhi nahi ki tum ye kya kah rahe ho.?" Saundarya ne uljhan bhare bhaav se kaha.
"Badi seedhi si baat hai dear." Jai ne maano use samjhate huye kaha_____"Inspector ko apne department me jis shakhs par sabse zyada bharosa hai ki wo ek imaandar police wala hai to agar usi ke ghar se wo mobile use mile to socho kya haalat hogi uski.? Wo is baat ko hajam hi nahi kar payega ki jis par wo itna zyada bharosa karta hai wahi ab tak uske department se gaddaari kar raha tha...magar kyo ki saboot ke taur par wo mobile usi ke ghar se baraamad hoga is liye use is baat par yakeen karna hi hoga."

"Badi ajeeb baate kar rahe ho tum." Saundarya ka dimaag jaise chakra sa gaya tha, boli______"Mujhe to tumhari ye ghumaavdaar baate bilkul bhi samajh nahi aa rahi hain. Aakhir chakkar kya hai ye.?"

"Inspector khud ko bahut zyada smart samajhta hai my dear." Jai ke hotho par gahri muskaan ubhar aayi, bola______"Apni mahbuba ke ghar me vijay ko shift kar ke usne waha par tagdi security laga di hai. Aisa kar ke wo samajhta hai ki ab vijay ke kareeb main to kya koi parinda bhi nahi fatak sakta. Baat sahi bhi hai, bhala aisi tight security ke rahte kaun moorkh waha jayega.? Apne ko bhi isse koi lena dena nahi tha magar haan maine ye zarur socha ki chain ki saans use ab bhi na lene du is liye aisa chakkar chalaya jaye ki wo usme ulajh kar rah jaye. Maujuda halaat mere usi chakkar ka nateeja hain."

"Aakhir aisa kaun sa chakkar chalaya hai tumne.?" Saundarya ne hairaani se jai ki taraf dekhte huye puchha______"Jiske chalte wo inspector usme ulajh kar rah jayega.?"
"Chalo tumhe sab kuch bata hi deta hu." Kahne ke sath hi jai ne car ko sadak ke kinare rok diya fir bola______"Magar wo sab main tumhare kaan me chupke se bataauga. Wo kya hai na ki aaj hawaye zara ulti disha ki taraf bah rahi hain aur main nahi chaahta ki main jo kuch tumhe bataau wo baat hawaao ke sath bahte huye us inspector ke kaan tak pahuch jaye."

Jai ki baat sun kar saundarya ke gulaabi hotho par gahri muskaan ubhar aayi, jabki jai uske kaan ke paas apna muh le ja kar bade hi raazdarana andaaz me sab kuch batane laga. Uski saari baat sun kar saundarya ki aankhe aashcharya se fail gayi. Wo jai ko is tarah dekhne lagi thi jaise jai ki khopdi uske dhad se alag ho kar upar hawa me parwaaz karne lagi ho.

"To kya...???" Saundarya ko jaise abhi bhi yakeen nahi ho raha tha is liye haklaate huye boli______"Mera matlab hai ki kya wo sach me..??"
"Ab jane bhi do dear." Jai ne uski baat kaat kar muskuraate huye kaha______"Tumhe pata chal gaya na. Ab us baat ko zubaan par laane ki kya zarurat hai.?"

Jai ke aisa kahne par saundarya khamoshi se uski taraf dekhti rah gayi. Uske chehre se aisa lag raha tha jaise abhi bhi wo jai ki baato ke bare me soch soch kar andar hi andar hairaan thi. Uske khamosh ho jane ke baad jai ne bhi aage kuch nahi kaha. Uske baad jaise khamoshi me hi baaki ka safar guzarta raha. Jai ki car ke pichhe pichhe kuch hi faasle par wo tempo bhi laga hua tha jisme in dono ka samaan load tha.

<>•<>•<>

Hawaldaar bhanu singh auto ki pichhli sheet me baitha gahre khayaalo me khoya hua tha. Use samajh nahi aa raha tha ki uske chahete inspector yaani ki dushyant ne use is tarah rahasyamayi dhang se kyo bulaya tha. Us wakt dopahar ke teen baj rahe the aur bhanu singh thane me ek dusre hawaldaar ko apne chahete inspector ke purane kisse badha chadha kar sunane me byast tha. Tabhi achanak uski paint ki pocket me maujud uska keypad mobile bajne laga tha. Mobile nikaal kar usne screen par dekha to mobile ki screen par uske chahete inspector ka naam flash ho raha tha. Ye dekh kar uske chehre par khushi ki chamak ubhar aayi aur wo us hawaldaar ko wahi chhod kar thane se baahar ki taraf badi tezi se aaya aur fir jaldi se call ko receive kar ke mobile kaan se laga liya tha.

Bhanu singh ke kaano me dushyant ki awaaz padi. Udhar se dushyant ne usse sirf itna hi kaha tha ki kisi ko kuch bhi bataye bagair kisi auto se fauran fala address par hamare paas pahucho. Itna kahne ke baad dushyant ne bhanu singh ki koi baat sune bina hi call ko disconnect kar diya tha. Ab kyo ki bhanu singh ke chahete inspector ka hukum mila tha use is liye usne us hukum ka paalan karna har cheez se zyada zaruri samjhta tha. Uske baad wo thane ke baahar se hi sadak par ek taraf ko badhta chala gaya tha. Kafi door paidal chalne ke baad use ek auto dikha to usne use awaaz di. Auto wala ek police hawaldaar ki awaaz ko ansuna kar de aisa to ho hi nahi sakta tha. Waise bhi is ilaake ke sare auto wale use achhi tarah pahchaante the. Khair auto ke rukte hi bhanu singh usme sawaar hua aur fir auto wale ko address bata kar khud pichhli sheet par baithne ke baad isi bare me sochne laga tha ki uske sahab ji ne use is tarah kyo bulaya hoga.?

Bhanu singh khayaalo me is kadar khoya hua tha ki use wakt ka pata hi nahi chala ki kab guzar gaya. Use hosh tab aaya jab auto ke driver ne auto rok kar use sahab kahte huye bataya ki manzil aa gayi hai. Khair driver ki baat sun kar bhanu auto se niche utra aur fir apni jeb se nikaal kar auto wale ko paise diye. Paise lene ke baad jab auto wala chala gaya to bhanu ne idhar udhar dekha aur fir sadak ke us paar dikh rahe makaan ki taraf badh chala. Kuch hi der me wo makaan ke darwaze ke saamne pahuch gaya. Jane kyo uska dil eka ek hi tez gati se dhadakne laga tha.

Bhanu ne darwaze ke bagal se diwaar par lagi door bell ke switch button par daahine haath ki ek ungli rakhi to makaan ke andar bell bajti sunaayi di use. Kuch hi der me darwaza khula to darwaze ke us paar sub inspector yaswant nazar aaya use. Yaswant ko yaha dekh kar uske chehre par chaunkne wale bhaav ubhre, fir usne khud ko samhaalte huye yaswant ko salute kiya jiska jawaab yaswant ne apne sir ko halka sa kham kar ke diya aur fir usne bhanu ko andar aane ke liye raasta diya. Uske ek taraf hatne par bhanu chup chaap dhadakte dil ke sath darwaze ke andar daakhil ho gaya. Bhanu ke andar aate hi yaswant ne darwaza band kar diya aur fir wo bhanu ke sath hi andar ki taraf badh chala.

Kuch hi der me wo dono andar ek chhote se dring room me pahuch gaye. Dring room me dushyant ko dekhte hi bhanu ne use bhi salute kiya. Uske salute par dushyant ne use saamne sofe par baithne ka ishara kiya to bhanu jhijhakte huye sofe par baith gaya. Bhanu ko yaha par kuch ajeeb sa mahsoos hua sath hi yaha ki khamoshi dekh kar uske dil ki dhadkane aur bhi tez ho gayi. Usne dekha ki uske dono hi alla officer ek sath ek hi sofe par baithe the aur khamoshi se usi ki taraf dekhe ja rahe the. Dono officers ke dwara khud ko is tarah dekhe jane se bhanu singh ko bada ajeeb sa mahsoos hua.

"Kya baat hai sahab ji.?" Bhanu se raha na gaya to usne jhijhakte huye puchh hi liya______"Aap dono mujhe is tarah kyo dekhe ja rahe hain.? Kya mujhse koi galti ho gayi hai ya mujhse koi apraadh ho gaya hai.?"

"Tumse na to koi galti huyi hai pyare." Dushyant ne apne hi andaaz me kaha______"Aur na hi tumse koi apraadh hua hai magar haan kuch aisa zarur ho gaya hai jiske chalte tum mujrim ban baithe ho."

"Ye aap kya kah rahe hain sahab ji.?" Bhanu singh buri tarah hadbada gaya, fir haklaate huye bola_____"Main mu...mujrim kaise ban baitha hu.? Kya aap mujhse mazaak kar rahe hain sahab ji.?"

"Ye mazaak nahi hai pyare." Dushyant ne kaha______"Balki ek kadwa sach hai. Waise to jo kuch tumhare ghar se hame mila hai uske adhaar par tum hi apraadhi saabit hote ho magar ham achhi tarah jaante hain ki tumhe badi safaayi se fasaya gaya hai."

"Aap kya kah rahe hain sahab ji mujhe kuch samajh me nahi aa raha." Bhanu ne ulajh gaye bhaav se kaha______"Mere ghar se aapko aisa kya mila hai jisse main apraadhi saabit hota hu magar aap mujhe apraadhi nahi maante. Ye sab kya lafda hai sahab ji. Agar ye sach me koi mazaak hai to meri aapse vinti hai ki aisa mazaak mat kijiye. Aap dono achhi tarah jaante hain ki main ek mamuli sa hawaldaar hu. Apni pandrah saal ki naukari me maine ek paisa bhi kisi se rishwat me nahi liya balki rishwat lena to main maha paap samajhta hu. Is naukari me jo kuch mujhe sarkaar deti hai usi se main santust hu aur apne biwi bachcho ka bharan poshan karta hu."

"Ham ye sab jaante hain bhanu singh." Dushyant ne gahri saans kheechte huye kaha______"Aur isi liye tumse kah rahe hain ki tum apraadhi nahi ho balki kisi ne tumhe badi safaayi se fasaya hai. Ab tum ye suno ki tumhe yaha kis liye bulaya gaya hai."
"Main bhi yahi jaanna chaahta hu sahab ji." Bhanu singh ne jhat se kaha______"Saare raaste main isi soch me gum tha ki aapne mujhe is tarah kyo bulaya ho sakta hai.?"

"Asal me baat ye hai bhanu." Bhanu ke sawaal par is baar yaswant ne kaha_____"Ki ham jis bare me baat kar rahe hain wo maamla avinash aur naqaab posh se juda hua hai. Tumhe to is maamle ke bare me shuru se hi sab pata hai ki kis tarah se ye maamla shuru hua tha. Shuru me bhale hi ye maamla seedha aur saral lag raha tha magar aage chal kar hame samajh aaya ki ye maamla utna seedha aur saral nahi hai jitna ki ham samajhte the. Avinash par pahli baar dushyant ke flat par hamla hua to aviansh ke hi dwara hame pata chala ki uska jo bhi dushman tha wo koi naqaab wala hai aur wo nahi chaahta ki wo kisi police wale ke paas uske hi ghar me rahe. Iske liye usne avinash ko dhamki bhi thi magar uski dhamki ko nazarandaaz kar diya hamne. Yaani ki uski dhamki ke baavjud hamne avinash ko kahi jane nahi diya aur use apne paas hi rakha. Uske baad tumhe pata hi hai ki us naqaab wale ne kaise accident kiya tha. Us accident ke baad hi hamari samajh me ye aaya ki us naqaab wale ko kaise pata chal gaya ki us din ham avinash ko dusri jagah shift karne wale hain. Kyo ki jis tarah se accident kiya gaya tha usse saaf zaahir tha ki wo pre planed tha. Iska matlab use hamare bich ki baato ka pahle hi pata chal gaya tha. Ab sawaal ye tha ki kaise pata chal gaya.? Ye mana ki usne ham par nazar rakhne ke liye apne kisi aadmi ko laga rakha hoga magar use hamare andar ki baat kaise pata chal sakti thi.? Aisa to tabhi ho sakta tha na jab andar ka hi koi aadmi use har baat ki khabar de. Ye soch kar hamne apne andar ke us shakhs ka pata lagana shuru kiya aur der se hi sahi magar ham us shakhs ka pata lagane me kamyaab ho hi gaye magar is search abhiyaan me jo shakhs hame us naqaab wale ka khabri saboot ke sath mila us shakhs ne hame buri tarah chaunka diya. Ham yakeen nahi kar sakte the ki naqaab wale ko hamari har khabar dene wala wo shakhs hamare hi police department ka hai aur wo koi aur nahi balki tum ho."

"Kyaaaa.?????" Bhanu singh apna naam sun kar is tarah uchhal pada tha jaise ki jis sofe par wo baitha tha wo achanak hi garm tawe me tabdeel ho gaya ho. Palak jhapakte hi uski haalat aisi ho gayi jaise wo abhi dahaade maar kar ro dega. Badi mushkil se khud ko samhaal kar usne kaha______"Ye...ye aap kya kah rahe hain sahab ji.? Main bhala aisa gira hua kaam kyo karuga.? Main mar jana pasand karuga magar apni naukari aur apne farz ko taak par rakh us naqaab wale ko khabar dena hargiz bhi pasand nahi karuga. Hey bhagwan ye sab kya hai.? Meri puja aur bhakti ka kya khoob sila diya hai tumne."

"Aise hataash aur pareshaan na ho pyare." Dushyant ne bade pyaar se kaha______"Ham tumhe shuru me hi bata chuke hain ki ye jo kuch bhi hua hai wo sab kisi ne badi safaayi se kiya hai aur ye bhi sach hai ki aisa karne wala hamare hi department ka aadmi hai. Ham tumse sirf ye jaanna chaahte hain ki pichhle kuch dino me tumhare ghar apne police mahkame ka kaun kaun byakti aaya tha aur kis wakt aaya tha.? Agar tum ye bata sako to clear ho jayega ki usi ne tumhe fasaya hai."

"Mera to ye sab sun ke dimaag hi kaam nahi kar raha sahab ji." Bhanu singh ne pareshaan bhaav se kaha______"Mere ghar me apne mahkame se to dusre teesre din koi na koi hawaldaar aata hi rahta hai. Aise me bhala main kiske bare me ye kah du ki usi ne mujhe fasaya hoga.?"

"Soch samajh kar jawaab do pyare." Dushyant ne kaha_____"Tum department ke aise byakti ka naam bataao jo tumhare ghar aise wakt par aaya ho jis wakt par uske aane ki tumhe zara si bhi ummid na rahi ho aur uska bartaav tumhe ajeeb laga ho."

"Waise to mere ghar me do teen hawaldaar aksar aate hi rahte hain sahab ji." Bhanu ne sochne wale bhaav se kaha______"Par zyadatar naresh hi aata hai magar inme se koi bhi kabhi aise wakt par mere ghar nahi aaya jis wakt par in me se kisi ke aane ki maine ummid hi na ki rahi ho. Thane me har police wale se meri achhi banti hai aur un sabse meri gahri dosti bhi hai."

"Achha ye bataao." Yaswant ne kaha_____"Ki pichhle kuch dino me kya tumne apne ghar par aisa kuch mahsoos kiya hai jo ki tumhare hisaab se tumhe ajeeb laga ho.?"
"Nahi sahab ji." Bhanu ne majbuti se inkaar me sir hilaate huye kaha_____"Maine aisa to kuch bhi mahsoos nahi kiya. Mere ghar me sab kuch waisa hi chalta raha hai jaise hamesha chalta aaya hai."

Bhanu singh ki is baat se yaswant kuch na bola balki soch me pad gaya nazar aaya. Yahi haal dushyant ka bhi tha. Waise to dono ko bhanu singh par koi shak nahi tha lekin agar ek pal ke liye maan bhi liya jata ki bhanu hi us naqaab posh ka khabri tha to is wakt uske chehre ke bhaav zarur badle huye hote. Wo laakh apne andar ke chor ko chhupane ki koshish karta magar thoda sa hi sahi lekin uske chehre se zaahir ho hi jata. Jabki bhanu singh ke chehre par aise koi bhaav nazar nahi aaye the dono ko. Balki wo to is baat se hi shock aur pareshaan ho gaya tha ki jo kuch usne kiya hi nahi hai uska ilzaam us par kaise lag gaya aur wo bhi saboot ke sath.?

"Ab tum ja sakte ho pyare." Kuch der ki khamoshi ke baad sahsa dushyant ne kaha______"Aur haan is sabse tumhe pareshaan hone ki koi zarurat nahi hai. Ek baat aur....hamare bich ki ye mulaqaat kisi chauthe ko pata nahi chalni chahiye aur na hi tum apne chehre se kisi par ye zaahir hone doge ki yaha par kya hua hai."

"Main is bare me kisi se kuch nahi kahuga sahab ji." Bhanu ne sofe se uthte huye kaha______"Bas ye samajh lijiye ki yaha ki is mulaqaat ka sara manzar mere marte dam mere seene me hi dafan rahega. Main to isi baat se khush hu sahab ji ki is sabke baad bhi aap dono mujhe begunaah maan rahe hain. Ye aap dono ka upkaar hi nahi balki mere prati aapka lagaav bhi hai."

Bhanu singh ki in baato par dono sirf muskura kar rah gaye jabki bhanu dono ko salute karne ke baad baahar chala gaya. Uske jane ke baad yaswant bhi darwaza andar se band karne chala gaya.

"Iska to wahi matlab hua pyare." Yaswant jab waapas aa kar sofe par baitha to dushyant ne kaha______"Jo ki bhanu se milne se pahle hamne nikala tha. Kahne ka matlab ye ki jo asal khabri tha usne hame uljhane ke liye bhanu ko fasa diya. Halaaki itna shatirana kaam usne khud nahi kiya hoga balki usse aisa karwane ke liye dimaag dene wala wo maqaab posh hi hoga. Ab sawaal ye hai ki asal khabri kaun ho sakta hai.?"

"Usne sach me hame uljha diya hai bhai." Yaswant ne center table par pade cigarette ke packet se ek cigarette nikaalte huye kaha______"Aur ye bhi yakeen maano ki bhale hi hame us mobile ke dwara naqaab posh ke number ka pata chal gaya hai magar sach to ye hai ki ham iske baad bhi us tak nahi pahuch sakenge. Kyo ki uska jo asal khabri hai usne ab tak use bata hi diya hoga ki hamare haath wo mobile lag chuka hai jiske dwara wo usse baat karta tha. Is liye naqaab posh ab us number ko hi kya balki us mobile ko bhi apne paas rakhne ki moorkhta nahi karega. Iska matlab yahi hua ki itna kuch hone ke baad bhi wo naqaab posh hamari pahuch se bahut door hi hai."

"Maanna padega pyare." Dushyant ne bhi cigarette ke packet se ek cigarette nikaalte huye kaha______"Ki kafi shaatir khilaadi hai ye naqaab wala. Hamare hi department ke aadmi ko apna chela bana rakha hai aur usi ke dwara hamse khel khel kar hame nacha bhi raha hai. Itne par bhi jab uska man nahi bhara to usne bhanu ke roop me apne khabri ko hame pakda kar hame uljha kar hi rakh diya. Ek tarah se usne ye kahte huye hame khula challenge de diya hai ki 'Tum bhi jante ho ki tumhare hi department ka koi police wala mera khabri hai magar tum use pakad nahi sakte aur jab tum mere khabri ko hi nahi pakad sakte to bhala mujh tak kaise pahuchoge.?'"

"Waakayi." Yaswant ke hotho par muskaan ubhar aayi. Fir cigarette ke dhuye ko ugalte huye kaha______"Baat sochne wali zarur hai bhai magar hai mazedaar. Department ke itne kaabil inspector ko chakarghinni bana ke rakh diya hai usne."

"Tum hamara mazaak uda rahe ho pyare.?" Dushyant ne usse ghoorte huye puchha.
"Mazaak se bhi badi koi cheez hai to main use hi uda raha hu bhai." Yaswant ne sapaat lahje me kaha______"Mana ki wo mujrimo jaisi harkate kar raha hai magar jis tarah se usne ham dono ko chakkar me fasa rakha hai usse uske dimaag ki daad dena to banta hai. Hamara na sahi hamare us raqeeb ka to dimaag chalta hai na.?"

"Hame to aisa lag raha hai pyare ki us naqaab wale ka agla shaagird tum khud banne wale ho." Dushyant ne kaha______"Tum to uske ashiq ho gaye dear. Agar hamare dil me tumse zyada hamari gule gulzaar vidhi ki mohabbat na hoti to tumhari is bewafayi ke chalte ham kahi chullu bhar paani me doob kar mar hi gaye hote."

"Waise ek baat sochne laayak hai dushyant." Yaswant ne uski baato par dhyaan na dete huye kaha______"Aur wo ye ki naqaab wale ne aisa kyo kiya hoga.? Mera matlab hai ki use aisa karne ki kya zarurat thi.? Aakhir use aisa kar ke kya faayda hua hoga.?"

"Waise to har baat faayde ya nuksaan ke liye nahi hoti pyare." Dushyant ne kaha______"Magar naqaab wala itna dariya dil nahi hai jo apne alawa kisi aur ka bhi bhala karne ka soche. Kahne ka matlab ye ki aisa karne se use koi na koi faayda to yakeenan hua hoga. Hame to lagta hai dear ki wo hamare saamne ek alag case bana ke rakh dena chaahta hai taaki ham usme ulajh jaye aur wo hame yaha uljha kar apna kahi aur ullu seedha kar le."

"Aisa karne se bhala uska kaun sa ullu seedha ho jayega.?" Yaswant ne sochne wale bhaav se kaha______"Kahi tumhare kahne ka matlab ye to nahi ki wo hame khabri ki khoj wale matter me uljha kar avinash tak pahuchne ka koi raasta banana chaahta hai.?"

"You are absolutely right pyare." Dushyant ne kaha______"Hamare kahne ka yakeenan yahi matlab tha. Khair ab sochne wali baat ye hai ki hame is matter me uljha kar wo avinash tak pahuchne ka koi raasta kaise bana lega.? Itna to use bhi pata chal hi gaya hoga ki aaj ki date me avinash tak pahuchna uske liye namumkin hi nahi balki asambhav baat hai."

"Usne ab tak jo kuch bhi kiya hai." Yaswant ne kaha_____"Usse ab ye saabit ho chuka hai ki uske liye koi bhi kaam asambhav nahi hai. Is liye agar usne itni security ke baavjud avinash tak pahuchne ka koi raasta banane ka socha hai to yakeenan uske zahen me koi to plan hoga. Sher ki maand me ghusne ka irada to wahi banayega na dost jiske andar koovat hogi. Agar sach me aisa hi hai to ye dekhne me bada hi maza aayega bhai ki wo itni security ke rahte huye bhi avinash tak kaise pahuchta hai.?"

"Tum saale hame police ki naukari se baahar nikaalne ki saazish rach rahe ho kya.?" Dushyant ne aankhe dikhaate huye kaha______"Hame to lagta hai ki us naqaab wale ka khabri koi dusra nahi balki tum hi ho."
"Hahahaha Tu kuch bhi bol dushyant." Yaswant ne thahaka lagate huye kaha_____"Magar is case me maza bahut aa raha hai mujhe. Jab tak main thane me tere sath tera maathat ban ke raha tha tab tak tune bahut nachaya tha mujhe magar ab tujhe nachane wala jo mila hai wo waakayi me lajawaab hai. Main to soch raha hu ki agar naqaab wala mujhe mil jaye to uski peeth thonk kar use shaabashi de du."

"Ab ham chalte hain pyare." Dushyant ne sofe se uthte huye kaha______"Abhi railway station bhi jana hai."
"Railway station.???" Yaswant chaunka______"Waha kis liye jana hai tumhe.?"
"Wo pratiksha aa rahi hai." Dushyant ne kaha______"Usi ko receive karne jana hai."

"Pratiksha yaha aa rahi hai.???" Yaswant ne hairaani zaahir karte huye puchha______"Sale tu kab se apni family ko bhaav dene laga.?"
"Mat puchh bhai." Dushyant ne kaha______"Jab se ladki ka chakkar shuru hua hai tab se apni khwaahisho ka gala ghotne laga hu."

"Ohh samajh gaya." Yaswant ne muskurate huye kaha_____"Sab samajh gaya bhai. To baat ab family tak pahuch gayi hai. Sahi hai bhai....vidhi ki vajah se hi sahi magar tu ab family ko bhaav to dene laga hai. Ab mujhe pura yakeen ho gaya hai ki bahut jald tera kayakalp ho jayega."

Yaswant ki is baat par dushyant halke se muskuraya aur fir dring room se baahar chala gaya. Yaswant khud bhi uske pichhe pichhe darwaze tak chala aaya tha. Dushyant baahar khadi apni gipsy me baitha aur fir railway station ki taraf gipsy ko start kar ke dauda diya.
 
Bᴇ Cᴏɴғɪᴅᴇɴᴛ...☜ 😎
1,621
5,929
143
BEGUNAAH
Update - 25
________________________


Ab Tak,,,,,,

"Pratiksha yaha aa rahi hai.???" Yaswant ne hairaani zaahir karte huye puchha______"Sale tu kab se apni family ko bhaav dene laga.?"
"Mat puchh bhai." Dushyant ne kaha______"Jab se ladki ka chakkar shuru hua hai tab se apni khwaahisho ka gala ghotne laga hu."

"Ohh samajh gaya." Yaswant ne muskurate huye kaha_____"Sab samajh gaya bhai. To baat ab family tak pahuch gayi hai. Sahi hai bhai....vidhi ki vajah se hi sahi magar tu ab family ko bhaav to dene laga hai. Ab mujhe pura yakeen ho gaya hai ki bahut jald tera kayakalp ho jayega."

Yaswant ki is baat par dushyant halke se muskuraya aur fir dring room se baahar chala gaya. Yaswant khud bhi uske pichhe pichhe darwaze tak chala aaya tha. Dushyant baahar khadi apni gipsy me baitha aur fir railway station ki taraf gipsy ko start kar ke dauda diya.


Ab Aage,,,,,,


Vidhi apne kamre me bed par leti apne favourite writer ved prakash sharma ka upanyaas Vidhwa Ka Pati padh rahi thi. Tabhi use aisa abhaas hua jaise koi aahat huyi ho. Uska dhyaan novel se toot gaya. Usne kamre me chaaro taraf dekha. Kamre me ekdam se khamoshi chhaayi huyi thi. Tabhi uski nazar wall clock par padi to chaunk gayi. Shaam ke paanch bajne wale the. Usne man hi man socha ki novel padhne me wo itna doob gayi thi ki use wakt ka pata hi nahi chala.

Abhi wo ye soch hi rahi thi ki tabhi fir se dastak huyi. Is baar use clear sunaayi diya. Dastak ki awaaz kamre ke darwaze ki taraf se aayi thi. Aisa laga tha jaise baahar se kisi ne darwaze ko thapthapaya ho. Itne bade bangle ke andar wo akeli hi thi ya fir uske alawa avinash tha. Darwaze ke baahar se dastak di gayi thi matlab saaf tha ki kamre ke baahar koi tha. Vidhi ke dil ki dhadkane anayaas hi tez ho gayi. Man me sawaal ubhra ki kya dastak dene wala avinash hai baahar.? Magar wo uske kamre ke baahar kis liye maujud ho sakta hai.? Aakhir kis vajah se dastak de raha hai wo.? Do pal me jane kitne hi sawaal vidhi ke zahen me ubharte chale gaye. Usne ye bhi socha ki iske pahle to aisa kisi din nahi hua tha to fir aaj aisa kyo.? Abhi wo ye soch hi rahi thi ki tabhi fir se dastak huyi magar is baar pahle se kuch zyada awaaz me huyi. Vidhi ko samajh me na aaya ki agar dastak dene wala avinash hi hai to wo mukh se kyo nahi bol raha.? Is khayaal ke sath hi vidhi ke man me ek dar sa ubhar aaya. Usne khud ko samhaalte huye bed par lete lete hi pukara_____"Kaun hai.?"

"Ji main hu....avinash." Vidhi ke puchne par fauran hi kamre ke baahar se avinash ka jawaab aaya. Uski awaaz se aisa prateet hua jaise wo kisi baat se behad pareshaan ho. Idhar uska jawaab sun kar vidhi ke man me khayaal ubhra ki avinash uske kamre ke baahar kis liye aaya hoga.

"Kya hua.?" Vidhi ne apne man me ubhar rahe khayaalo par kaabu paate huye puchha______"Kuch kaam hai kya.?"
"Ji darwaza kholiye." Baahar se avinash ne usi pareshani bhare lahje me kaha.
"Kya baat hai.?" Vidhi ko samajh na aaya ki wo darwaza kyo khulwa raha hai is liye puchha______"Kisi cheez ki zarurat hai kya tumhe.?"

"Ji wo kamre me mujhe bahut ghutan ho rahi thi." Baahar se avinash ne kaha______"Baahar to ja nahi sakta tha is liye taazi hawa lene ke liye upar chhat par jana chaha magar waha seedhiyo ke upar lage darwaze par andar se taala laga hua tha to uski chaabhi lene aapke paas aaya hu. Kripaya upar chhat ka tala khol dijiye. Pata nahi aaj bahut ajeeb sa lag raha hai mujhe. Kamre me mera ji ghabra raha tha."

"Achha thik hai." Vidhi ne kuch sochte huye kaha______"Tum chalo main chaabhi le kar aati hu."
"Ji bahut bahut shukriya aapka." Kamre ke baahar se avinash ne kaha. Uske baad baahar se uske kadmo ki awaaz aayi. Aisa laga jaise wo darwaze se door ja raha ho.

Vidhi ke zahen me achanak se kayi saari baate chalne lagi thi. Use ye bada ajeeb sa lag raha tha ki avinash ko kamre me achanak se ghutan kaise hone lagi thi jiski wajah se wo taazi hawa lene ke liye upar chhat par jana chaahta tha. Vidhi ke man me sawaal ubhra kahi aisa to nahi ki avinash ki yaad daast waapas aa gayi ho aur wo ghutan hone ka bahana kar ke chhat par is liye jana chaahta ho ki wo dekh sake ki yaha se baahar jane ka chhat se bhi koi raasta hai ya nahi.?

Vidhi ko apna ye khayaal sahi laga magar fir usne ye bhi socha ki ho sakta hai ki avinash ko sach me hi ghutan ho rahi ho aur wo taazi hawa lena chaah raha ho. Aakhir jab se wo yaha aaya hai tabse wo apne kamre me hi to band raha hai. Aise me to kisi bhi insaan ke sath aisa ho sakta hai magar taazi hawa to use kamre ki khidki se bhi mil sakti thi. Fir chhat par hi jane ki baat kyo kahi usne.? Vidhi ko ekdam se ahsaas hua ki wo vicharo me khoyi ja rahi hai jabki usne avinash se kaha tha ki wo chale aur wo uske pichhe chaabhi le kar aati hai. Ab agar wo chaabhi le kar nahi jayegi to jane avinash kya sochne lage aur ye bhi mumkin hai ki wo fir se uske kamre ki taraf aa jaye.

Vidhi bed se uthi aur apne huliye ko thik karte huye darwaze ki taraf badhi. Abhi wo darwaze ke kareeb pahuchi hi thi ki tabhi uske man me kuch aaya to wo palat kar bed ke paas aayi. Bed ke sirhaane ke paas hi uska mobile pada hua tha jise usne uthaya aur fir usne dushyant ko call laga diya. Mobile ko kaan se lagaye hi wo tezi ke sath darwaze ke paas aayi aur jhat se darwaza khol kar usne kamre se baahar ki taraf dekha. Baahar koi nahi tha, iska matlab avinash chhat par jane wali seedhiyo ki taraf ja chuka tha. Idhar call receive hote hi uske kaan me dushyant ki awaaz padi to usne ek hi saans me sab kuch bata diya. Uske batane ke baad udhar se dushyant ne kuch kaha jiske baad vidhi ne thik hai kah kar call disconnect kar diya.

Mobile ko waapas bed par rakhne ke baad vidhi kamre se baahar aa gayi. Seedhiyo se utar kar wo niche aayi aur fir apne mom dad ke kamre ki taraf badh gayi. Kuch hi der me wo mom dad ke kamre ke paas pahuch gayi. Kamre ke ek taraf diwaar me chaabhi ka ek guchcha keel me atka hua tha jise usne nikala aur usse kamre ke darwaze par latke taale ko khola aur fir darwaza khol kar andar daakhil ho gayi. Kuch hi der me jab wo kamre se baahar aayi to uske haath me ek dusri chaabhi thi. Kamre ko lock karne ke baad wo chhat par jane wali seedhiyo ke paas aayi to dekha seedhiyo ke upar avinash khada tha. Usne avinash ko awaaz diya aur fir chaabhi ko uski taraf uchhaal diya jise avinash ne catch karne ki koshish ki magar chaabhi uske haath se chhut kar seedhi par gir gayi.

Vidhi ne dekha ki avinash ka chehra paseene se tarbatar tha aur uski haalat ajeeb si thi. Iska matlab wo galat nahi kah raha tha. Use sach me shayad kamre me ghutan ho rahi thi. Jaise hi usne seedhi se chaabhi uthayi to niche se vidhi ne usse kaha ki agar tabiyat thik na ho to wo doctor ko call kare. Vidhi ke aisa kahne par avinash ne bas yahi kaha ki use bas taazi hawa lena hai. Uske jawaab par vidhi kuch na boli aur apne kamre ki taraf jane ke liye dusri taraf ki seedhiyo ki taraf badh gayi. Jabki avinash palat kar upar ki taraf chala gaya.

Kuch hi der me wo first floor ki seedhi par lage darwaze ke paas pahuch gaya. Chaabhi se usne darwaze par lage lock ko khola aur fir darwaze ko khol kar chhat par chala gaya. Chhat kafi bada tha aur chhat ke chaaro taraf kareeb teen ya saadhe teen fit uchi boundary wall thi. Chhat ke farsh par behtareen tiles lagi huyi thi. Chhat par aate hi avinash ke chehre par taazi taazi thand hawa lagi to use aisa prateet hua jaise wo swarg me aa gaya ho. Aankhe band kiye wo chhat par boundary ke paas ja kar khada ho gaya. Door door tak shahar ki abaadi dikh rahi thi aur ek taraf hariyaali jo kisi ke bhi man ko sukoon de sakti thi.

<>•<>•<>

Vidhi ka jab phone call aaya tha tab inspector dushyant railway station pahuch chuka tha aur apni police gipsy ko khadi kar ke utar hi raha tha. Phone par vidhi ne avinash ke bare me jo kuch bataya tha usse uske bhi man me kayi tarah ke khayaal ubharne lage the. Kuch der wo sochta raha aur fir usne apni bahan pratiksha ko call laga diya. Kadachit ye puchne ke liye ki wo is wakt kaha pahuchi hai.? Halaaki jis train se wo aa rahi thi us train ke aane ka time ho chuka tha. Wo tezi se chalta hua andar platform par aa gaya tha.

Indian train aksar hi apne nirdhaarit wakt se late hi rahti hain. Platform par dushyant ko paanch minute intzaar karna pada. Train aa kar ruki to wo us dibbe ke gate ki taraf dekhne laga jis dibbe me uski bahan thi. Train ke rukte hi aane wale yaatri utarne lage aur sath hi jane wale yaatri bhi zabardasti usme chadhne ki koshish me lag gaye. Aakhir kuch hi der me dushyant ko darwaze par uski bahan pratiksha nazar aayi to uske hotho par halki muskaan ubhar aayi. Yellow colour ke shalwar shoot me uski bahan behad sundar dikh rahi thi. Darwaze se utar kar wo kuch kadam aage aayi aur fir idhar udhar dekhne lagi. Chehre par zamane bhar ki masumiyat liye wo apne police wale bhaiya ko khoj rahi thi. Uske haath me ek bag tha. Dushyant ke dil me use dekh kar jane kyo ek hook si uthi magar fir usne jaldi hi khud ko samhala aur uske paas kuch hi kadmo me pahuch gata. Pratiksha ki nazar jaise hi dushyant par padi to uska chehra taaze khile huye gulaab ki maanind khil utha. Dushyant paas pahucha to usne bag chhod diya aur fir jhapat kar bhaiya kahte huye uske gale lag gayi.

"Meri gudiya." Kahte huye dushyant ne bhi use khud se chhupka liya. Kuch der wo uske sir aur peeth par pyaar se haath ferta raha fir use khud se alag kiya aur farsh par gire huye uske bag ko utha kar bola______"Aane me koi taklif to nahi huyi na tujhe.?"
"Apne sabse achhe bhaiya ke paas aane me agar bahut zyada taklif bhi hoti to koi parwaah nahi thi mujhe." Pratiksha ne muskurate huye kaha______"Waise ek baat se naraz hu aapse. Haan nahi to."

"Achha." Chalte huye avinash ne halke se muskurate huye kaha______"Bhala kis baat se naraz hai meri gudiya.?"
"Chupke chupke apne liye ladki pasand kar li." Pratiksha ne muh banate huye kaha______"Aur mujhe bataya tak nahi. Aisa kaise kar sakte hain aap.? Jo baat aapko sabse pahle mujhe bataani chahiye thi wo baat mujhe kisi aur se pata chali. Ye bhi koi baat huyi bhala....haan nahi to."

"Aree ye kya kah rahi hai tu.?" Dushyant ekdam se baukhla gaya tha, fir khud ko samhaalte huye bola______"Tujhse kisne kah diya ki maine apne liye ladki pasand kar li hai.?"
"Zyada baniye mat." Pratiksha ne dushyant ko ghoorte huye kaha______"Sab pata chal gaya hai mujhe."

"Mujhe bhi to bata." Dushyant ne pareshan lahje me kaha_____"Aakhir kya pata chal gaya hai tujhe.?"
"Sab kuch." Pratiksha ne kaha______"Maa ne sab bata diya hai mujhe. Khair chhodiye is baat ko aur ye bataaiye ki jis ladki ko aapne apne liye pasand kar liya hai wo meri tarah sundar to hai na.?"

"Hey bhagwan." Dushyant station ke baahar gipsy ke pichhe pratiksha ke bag ko rakhte huye bola_____"Ye maa ne kya bata diya hai tujhe. Dekh gudiya meri baat kaan khol kar sun. Jaisa tu samajh rahi hai waisa bilkul bhi nahi hai. Maine yaha apne liye koi ladki wadki pasand nahi ki hai. Jis ladki ne maa se baat ki thi wo sirf meri dost hai....usse zyada kuch nahi samajh gayi na tu.? Ek baat aur....plz us ladki se is bare me kuch bhi mat bolna thik hai na.?"

"Ohh to ye baat hai." Pratiksha ne gipsy me dushyant ke bagal se baithte huye kaha______"Chinta mat kijiye. Ab main aa gayi hu na to aapka kaam tamaam kar dugi....haan nahi to."
"Mera kaam tamaam kar degi.???" Dushyant ne chaunkte huye uski taraf dekha______"Ye kya kah rahi hai gudiya.?"

"Aree mere kahne ka matlab hai ki us ladki se aapki dosti ko pyar me badal dugi." Pratiksha ne maano correction karte huye kaha______"Mujhe aapki baato se samajh aa gaya hai ki asal me maamla kya hai. Is liye aap bilkul bhi tension mat lijiye. Aapki ye gudiya us ladki ko apni bhabhi bana ke hi rahegi. Ye aapse wada hai mera....haan nahi to."

"Dekh gudiya main tere aage haath jodta hu." Dushyant ne gipsy ko aage badhate huye kaha______"Tu usse is bare me koi bhi baat mat karna. Kya tujhe achha lagega ki tere is bhaiya ko wo ladki apne sandal se maare.?"
"Aree aise kaise maaregi wo.?" Pratiksha ne maano taish me aa kar kaha_____"Mere saamne aapko maaregi to hath na tod dugi uska....haan nahi to."

"Achha chal chhod is baat ko." Dushyant ne kaha______"Aur ye bata ghar me sab kaise hain.? Maa aur pita ji kaise hain.?"
"Mera aur maa ka to pata hi hai aapko." Pratiksha ne is baar thoda sanjeedgi se kaha_____"Ki ham dono har tarah se aapke hi paksh me hain aur khush bhi hain magar pita ji aaj kal pata nahi kyo bujhe bujhe se rahte hain."

"Haan samajh sakta hu main." Dushyant ne kaha_____"Khair jane de. Achha ye bata ki tere liye koi dulha dhudha kya pita ji ne.?"
"Mere liye dulha kyo.?" Pratiksha ne badi masumiyat se kaha______"Mujhe nahi karni koi shadi wadi. Mujhe apne bhaiya ke paas rahna hai aur yahi mera faisla hai. Aap ye acchi tarah samajh lijiye....haan nahi to."

Pratiksha ki is baat par dushyant bas muskura kar rah gaya. Wo jaanta tha ki uski masoom bahan usse kitna pyar karti hai. Kad bhale hi uska bada ho gaya tha magar bachpana abhi bhi tha usme. Pita ji to hamesha shakht bartaav wale the magar maa ka aur uska pyar hamesha uske liye tha. Wo uski gudiya thi, uski jaan thi. Halaaki kuch rukha bartaav use bhi jaise viraasat me mil gaya tha jiske chalte wo kabhi kabhaar hi ghar walo se baat karta tha magar iska matlab ye bilkul bhi nahi tha ki uske dil me apno ke liye pyaar nahi tha.

Dono bhai bahan ek dusre se baate karte huye ja rahe the. Dushyant usse baate to kar raha tha magar baar baar wo ye bhi sochne lagta tha ki vidhi se milne ke baad uski ye masoom bahan jane usse kya kya baate karegi. Use dar tha ki wo apni baato ke bahaav me vidhi se kuch aisa na bol de jo use nahi bolna chahiye ya uske bol dene se uske liye koi samasya khadi ho jaye. Khair kuch hi samay me dushyant ki gipsy vidhi ke bangle par pahuch gayi.

"Kitna sundar ghar hai ye." Pratiksha ki nazar jab bangle par padi to usne aankhe failate huye kaha______"Kya aap yahi rahte hain.?"
"Waise to main sarkar ki taraf se mile police quarter me rahta hu gudiya." Dushyant ne bade se gate ke andar gipsy ko modte huye kaha______"Magar kisi vajah se filhaal yahi rah raha hu."

"Haan main samajh gayi." Pratiksha ne muskurate huye kaha______"Wo vajah us ladki ke siwa bhala aur kya ho sakti hai."
"Tu na zyada dimaag na chala." Dushyant ne use ghoorte huye kaha_______"Dekh gudiya....main tujhse fir kahta hu. Tu us ladki se aisa kuch bhi na kahna ki hame is ghar se boriya bistar samet kar kahi baahar jana pade. Tujhe pata nahi hai abhi ki wo ladki kitna gusse wali hai."

"Kya sach me bhaiya.?" Pratiksha ne ajeeb sa expression dete huye kaha_____"Par aap fikra mat kijiye. Main uske gusse ko chutkiyo me door kar dugi...haan nahi to."
"Matlab ki tu maanegi nahi.?" Dushyant ne porch me gipsy ko rokte huye kaha_____"Kya tu chaahti hai gudiya ki us ladki ke saamne tere bhaiya ko sharminda hona pade.?"

"Bilkul nahi." Pratiksha ne jhat se inkaar me apne sir ko hilaate huye kaha______"Balki main to yahi chaahti hu ki mere bhaiya ka sir hamesha utha rahe. Don't worry main usse aisa kuch bhi nahi kahugi. Main to bas aapko pareshaan kar rahi thi....hehe haan nahi to."

Pratiksha ki is baat par dushyant bas muskura kar rah gaya. Uski is baat se use thodi raahat to mili thi magar wo jaanta tha ki pratiksha apni harkato se baaz nahi aayegi. Wo fauran hi bhool jayegi ki usne apne bhai se kya waada kiya tha. Khair dono hi gipsy se utre aur mukhya darwaze ki taraf badh chale. Charo taraf khade police walo ko dekh kar pratiksha ne dushyant se unke bare me pucha to dushyant ne sankshep me use bata diya.

Darwaze ke paas aa kar dushyant ne door bell bajaayi. Uske pichhe khadi pratiksha ghoom ghoom kar chaaro taraf dekhe ja rahi thi. Kuch hi der me darwaza khula aur saamne vidhi nazar aayi. Darwaze ke baahar dushyant aur uske pichhe ek khubsurat ladki ko dekh kar vidhi ko samajhte der nahi lagi ki wo dushyant ki chhoti bahan pratiksha hai. Use dekh kar uske gulaabi hotho par halki si muskaan ubhar aayi. Udhar vidhi ko dekh kar pratiksha ne bhi andaza laga liya ki ye wahi ladki hai jisse uski maa ne phone par baat ki thi. Vidhi sach me behad khubsurat thi aur uski khubsurti dekh kar pratiksha khush bhi ho gayi thi.

Vidhi ne ek taraf hat kar un dono ko andar aane ka raasta diya to wo dono andar aa gaye. Un dono ke andar aane ke baad vidhi ne darwaze ko band kar diya aur fir wo bhi unke piche piche andar ki taraf badh chali. Kuch hi der me wo sab dring room me aa gaye.

"Namaste bhabhi ji." Dushyant abhi sofe par baithne hi wala tha ki pratiksha ke is waakya par wo buri tarah uchhal pada. Usne hakbaka kar pratiksha ki taraf dekha. Jabki pratiksha ke is waakya ko sun kar vidhi bhi buri tarah chaunki thi. Usse turant kuch kahte na ban pada tha. Halaaki usne dushyant ki taraf ghoor kar dekha zarur. Dushyant ki haalat to dekhne laayak ho gayi thi. Uske dil ki dhadkane jaise ruk si gayi thi. Jabki in sab baato se bekhabar pratiksha ne jab dekha ki uske namaste ka jawaab vidhi ne nahi diya hai to usne fir se wahi waakya dohra diya. Vidhi ko samajh na aaya ki wo ab kya jawaab de. Dring room me blade ki dhaar ki maanind paina sannata chha gaya tha. Khair vidhi ne khud ko samhala aur hath jod kar ishare se hi uske namaste ka jawaab diya aur use sofe par baithne ke liye bhi ishara kiya.

"Main zara washroom se ho kar aata hu." Dushyant ko kuch samajh nahi aa raha tha is liye is situation se bachne ke liye usne yaha se bhaag jane me hi apni bhalaayi samjhi thi. Uske dwara aisa kahne par na vidhi ne kuch kaha aur na hi pratiksha ne. Halaaki kisi ke kuch kahne ka dushyant ne intzaar bhi nahi kiya. Balki wo to tez tez kadam badhate huye washroom ki taraf badh gaya tha.

"Oh sorry sorry pata nahi kaise mere mukh se aapke liye bhabhi ji nikal gaya." Pratiksha ko der se hi sahi magar samajh aa gaya ki usne kya bol diya tha is liye maahaul ko durust karne ki garaj se kaha______"Agar aapko isse bura laga ho to plz mujhe maaf kar dijiye aur haan isme bhaiya ki koi galti nahi hai. Is liye mere bhaiya ko aap kuch mat kahna."

"It's okk." Vidhi ne shaant bhaav se kaha______"Mujhe bura nahi laga. Khair safar me koi taklif to nahi huyi na tumhe.?"
"Bilkul bhi nahi." Pratiksha ne muskura kar kaha______"Balki yaha aane ki khushi hi itni thi ki mujhe safar ke guzarne ka bilkul bhi pata nahi chala....haan nahi to."

"Ohh chalo achhi baat hai." Vidhi ne muskurate huye kaha_____"Tum thodi der araam kar lo uske baad fresh ho jana. Tab tak main tumhare liye garma garam khana bana deti hu."
"Aree aap akele kyo banayegi.?" Pratiksha ne sofe se uthte huye kaha______"Ab main aa gayi hu na to main bhi aapki help karugi."

"Thik hai tum zarur meri help karna." Vidhi ne usi muskaan ke sath kaha______"Magar aaj se nahi balki kal se. Aaj tumhe sirf rest karna hai...ok.??"
"Haan mujhe bhi aisa lag raha hai ki mujhe is wakt araam ki zarurat hai." Pratiksha ne masoom sa chehra banate huye kaha______"Par kal se pakka aapki help karugi..aur agar aapne mujhe roka to aapse baat nahi karugi...haan nahi to."

"Haan haan nahi rokugi tumhe." Vidhi uski masumiyat se bhari baato se muskurate huye boli______"Achha ye bataao ki tumhe yaha alag kamre me akele sona hai ya mere sath mere kamre me.?"
"Na baba na akele kamre me sone se to mujhe bahut dar lagta hai." Pratiksha ne inkaar me sir hilaate huye kaha_____"Aapke kamre me hi aapke sath sougi."

"Thik hai fir." Vidhi ne kaha______"Chalo main tumhe apna kamra dikha deti hu. Kamre me hi attach bathroom hai to tum usi me fresh bhi ho lena."
"Haan ye thik rahega chaliye." Pratisha ne kaha aur apne bag ko utha liya.

Vidhi usko le kar upar apne kamre ki taraf badh chali. Seedhiyo se chalte huye wo dono kuch hi der me kamre me pahuch gayi. Vidhi ne use bathroom dikhaya aur fir fresh hone ke liye kah kar khud kamre se baahar aa gayi. Niche aa kar vidhi seedha kitchen me chali gayi. Uske zahen me pratiksha ki baate chal rahi thi. Pratiksha ne aate hi use bhabhi ji kah diya tha jise soch kar ab uske hotho par muskaan ubhar aayi thi aur sath hi uske chehre par laali chhane lagi thi. Pratiksha use bahut hi masoom lagi thi. Kisi chhoti si bachchi ki tarah jisme koi chhal kapat nahi tha.

Udhar washroom me dushyant ne hath muh to kab ka dho liya tha magar washroom se baahar aane ki usme himmat nahi thi. Uske kaan me baar baar uski bahan ke dwara kaha gaya wo waakya goonj raha tha_____'Bhabhi ji namaste.' Us wakt to dushyant ki haalat ro dene aur apne baal noch lene jaisi ho gayi thi. Kitna samjhaya tha usne pratiksha ko magar usne wahi kar diya tha jo use nahi karna chahiye tha. Halaaki vidhi uske aisa kahne par kuch boli nahi thi magar dushyant ko pura yakeen tha ki akele me vidhi uski class zarur legi. Khair ab kya ho sakta tha.?

Dushyant ko yaad aaya ki vidhi ne use phone kar ke avinash ke bare me bataya tha. Is baat ko yaad karte hi uske dimaag me kuch aaya aur uske hotho par muskaan bhi ubhar aayi. Usne towel se hath muh ponchha aur jhat washroom se baahar aaya. Dring room me kisi ko na dekh wo tezi se avinash ke kamre ki taraf badh gaya. Thodi hi der me wo avinash ke kamre me pahuch gaya magar kamre me avinash nahi tha. Tabhi use yaad aaya ki vidhi ne ye bataya tha ki avinash chhat par jane ki baat kar raha tha.

Dushyant kamre se nikal kar seedha chhat ki taraf chal diya. Kuch hi der me wo seedhiya chadhta hua chhat par pahuch gaya. Chhat par aa kar usne chaaro taraf dekha to left side use ek kone me boundary wall ke paas baitha hua avinash dikh gaya. Shaam ka dhundhalka chhane laga tha magar itna bhi nahi ki chhat me kuch hi doori par maujud koi byakti dikhaayi hi na de. Avinash boundary wall ke paas farsh par aankhe band kiye baitha tha. Dushyant uski taraf badh gaya.

"Kya baat hai pyare." Avinash ke kareeb pahuchte hi dushyant ne apne hi andaaz me kaha______"Yaha akele baithe bada araam farma rahe ho."
"Aree sahab ji aap.???" Dushyant ki awaaz par avinash ne chaunkte huye kaha______"Aap yaha kab aaye.?"

"Hame aaye huye to zamana guzar gaya dear." Dushyant ne uski taraf dhyaan se dekhte huye kaha______"Khair ye bataao ki aaj chhat par khule aasmaan ke niche yu baithne ka vichaar kaise aaya.? Tabiyat to thik hai na tumhari.?"

"Aaj pata nahi kyo par kamre me mujhe bahut zyada ghutan ho rahi thi sahab ji." Avinash ne kaha______"Is liye vidhi ji se chhat par khuli hawa lene ke liye kaha tha. Yaha seedhi ke gate par tala laga hua tha to unhi se yaha ki chaabhi bhi li thi."

"Chalo achhi baat hai." Dushyant ne kaha______"To ab khuli hawa me kaisa mahsoos kar rahe ho.? Agar zyada problem ho rahi ho to hospital me doctor ko dikha de tumhe.?"
"Nahi sahab ji." Avinash ne kaha______"Ab achha mahsoos kar raha hu main. Halaaki iske pahle kamre me kisi din ghutan nahi huyi thi mujhe lekin aaj pata nahi kaise aisa ho gaya."

"Hota hai pyare." Dushyant ne kaha______"Kabhi kabhi insaan ke sath wo bhi ho jata hai jo uske sath pahle kabhi nahi hua hota. Khair hamne bhi is baat par dhyaan nahi diya, hame tumse pahle hi kah dena chahiye tha ki har wakt kamre me rahne ke bajaay taazi hawa ke liye yaha chhat par bhi aa sakte ho."

"Koi baat nahi sahab ji." Avinash ne kaha_____"Isme aapki koi galti nahi hai. Agar aisa mere sath pahle bhi hua hota to main khud hi aapse batata aur kahta ki mujhe khule me taazi hawa lena hai."
"Achha ek baat bataao pyare." Dushyant ne uski taraf dhyaan se dekhte huye kaha______"Kya tumhe abhi bhi apne bare me kuch yaad nahi aaya hai.?"

"Isi baat se to raat din pareshan rahta hu sahab ji." Avinash ne maano udaas bhaav se kaha_____"Har wakt main apne bare me yaad karne ke liye dimaag par zor daalta rahta hu magar koi faayda nahi hota, haan dimaag par zor daalne se sir zarur fatne lagta hai."

"Koi baat nahi pyare." Dushyant ne kaha______"Zyada dimaag par zor na dala karo. Tumhari yaad daast ko jab waapas aana likha hoga to wo khud hi aa jayegi. Khair ham chalte hain dear. Tumhe agar abhi aur taazi hawa ka lutf lena ho to le lo."
"Nahi ab main bhi chaluga sahab ji." Avinash ne kaha_____"Yaha kafi der se hu aur ab achha mahsus ho raha hai. Waise bhi ab shaam ho chuki hai."

Dushyant seedhiyo ki taraf chal pada to uske piche avinash bhi chal pada. Kuch hi der me wo dono apne apne kamre me pahuch gaye. Apne kamre me pahuch kar dushyant ne apni wardi utaari aur normal kapde pahan kar bathroom me ghus gaya. Uske man me kayi saare vichaar ubhar rahe the. Uske zahen me sabse pahla sawaal yahi aaya tha ki uske puchne par kya avinash ne sach bataya tha ya jhuth.? Aapni yaad daast na aane ki baat kah kar kya avinash ne usse jhuth bola tha ya sach me uski memory waapas nahi aayi hai.?
 
Bᴇ Cᴏɴғɪᴅᴇɴᴛ...☜ 😎
1,621
5,929
143
BEGUNAAH
Update - 26
_________________________


Ab Tak,,,,,

"Koi baat nahi pyare." Dushyant ne kaha______"Zyada dimaag par zor na dala karo. Tumhari yaad daast ko jab waapas aana likha hoga to wo khud hi aa jayegi. Khair ham chalte hain dear. Tumhe agar abhi aur taazi hawa ka lutf lena ho to le lo."
"Nahi ab main bhi chaluga sahab ji." Avinash ne kaha_____"Yaha kafi der se hu aur ab achha mahsus ho raha hai. Waise bhi ab shaam ho chuki hai."

Dushyant seedhiyo ki taraf chal pada to uske piche avinash bhi chal pada. Kuch hi der me wo dono apne apne kamre me pahuch gaye. Apne kamre me pahuch kar dushyant ne apni wardi utaari aur normal kapde pahan kar bathroom me ghus gaya. Uske man me kayi saare vichaar ubhar rahe the. Uske zahen me sabse pahla sawaal yahi aaya tha ki uske puchne par kya avinash ne sach bataya tha ya jhuth.? Aapni yaad daast na aane ki baat kah kar kya avinash ne usse jhuth bola tha ya sach me uski memory waapas nahi aayi hai.?


Ab Aage,,,,,


"Ye jagah to pahle wali jagah se bhi zyada achhi hai jai." Saundarya ne ek bade farmhouse ke gate ke andar aane ke baad saamne dikh rahe ek bade se kintu do manjila ghar ko dekhte huye kaha______"Sach me yaha bhi door door tak abaadi nahi hai lekin iske jaise farmhouse aur bhi hain yaha. Kya unme koi rahta nahi hoga.?"

"Farmhouse shahar se door aisi hi jagaho par bade bade log banwate hain dear." Jai ne ghar ke darwaze ki taraf badhte huye kaha______"Taaki unhe shahar ki tarah shor sharaba na sunne ko mile. Yaha wo log ekaant me sukoon ke sath kuch din rahte hain aur apne pariwar ke sath apna wakt guzaarte hain. Uske baad wo fir yaha se chale jate hain."

"To kya fir yaha koi nahi rahta.?" Saundarya ne jai ki taraf dekhte huye pucha.
"Farmhouse ke maalik yaha ki dekh rekh ke liye ek do aadmi rakh dete hain." Jai ne darwaze ke key hole me ek moti si chaabhi daalte huye kaha______"Is farmhouse me bhi do aadmi the jinhe hamare aane se pahle hi yaha se hata diya gaya hai. Tum to janti hi ho ki ham kisi ki nazar me nahi aana chaahte."

"Haan ye to hai." Saundarya ne thandi saans chhodte huye kaha______"Pata nahi is tarah hame kab tak duniya walo se chhup ke rahna padega.? Baar baar thikana badalne se main to ab ukta chuki hu."
"Fikar mat karo dear." Darwaza khol kar andar daakhil hote huye jai ne kaha______"Ab hamare vanwaas ki awadhi khatm hi hone wali hai. Uske baad ham dono apne ghar me ek sath khushi khushi rahege. Bas ek baar wo ho jaye jiske liye ham itne saalo se dar dar bhatak rahe hain, uske baad hame kisi bhi chiz ki tension nahi rahegi."

Jai ki ye baat sun kar saundarya ne kuch nahi kaha balki wo andar aane ke baad is ghar ki banawat aur sundarta ko dekhne lagi thi. Ye farmhouse kafi bada tha. Chaaro taraf se uchi boundary wall thi aur bicho bich do manjila imaarat bani huyi thi. Jai is jagah ko do hapte pahle dekh chuka tha aur tabhi se usne yaha rahne ke bare me soch liya tha. Ab ye hairaani ki aur sochne wali baat thi ki is jagah par rahne ki byawastha usne kaise kar li thi.?

Thodi hi der me farmhouse ke andar wo tempo daakhil hua jisme uska samaan load tha. Tempo me jo log the unhone tempo se sara samaan utaar kar ghar ke andar rakhna shuru kar diya. Zyada samaan nahi tha kintu zarurat ki har chiz zarur thi. Kareeb ek ghante me sara samaan ghar ke andar sahi tarike se jama diya gaya. Uske baad jai ne tempo me aaye aadmiyo ko kuch paise diye aur unhe kuch zaruri hidaayate de kar farmhouse se vida kar diya.

Shaam dhal chuki thi. Jai aur saundarya samaan ko set karne aur karwane me thoda thak bhi gaye the is liye kuch der dono ne araam kiya, uske baad dono ne ek sath hi bathroom me snaan kiya. Saundarya raat ke liye kitchen me dinner taiyar karne lagi thi jabki jai ghar se baahar aa kar lawn me kisi se phone par baat karne laga tha. Baat karte wakt uske chehre par aise bhaav gardish karte nazar aa rahe the jaise wo kisi baat se behad khush ho.

<>•<>•<>

Dushyant chhat se niche aaya to dekha dring room me koi nahi tha. Kitchen se zarur halki halki awaaze aa rahi thi. Use samajhte der na lagi ki vidhi kitchen me hai. Uske dil ki dhadkane ye soch kar fir se tez ho gayi thi ki uski bahan ki vajah se jo kuch hua tha usse jab wo vidhi ke samne pahuchega to wo usse kya kahegi.? Kitna samjhaya tha usne pratiksha ko magar koi faayda nahi hua tha. Ab wo ye soch soch kar chintit ho raha tha ki uski natkhat bahan aage aur kya kya gul khilayegi jiski vajah se uski haalat kharaab hogi.?

Kitchen ke gate se dushyant ne chupke se andar ki taraf dekha. Kitchen ke andar vidhi khana banane me lagi huyi thi. Ye dekh kar dushyant dabe paanv waapas palta aur fir dabe paanv hi kitchen se hat kar seedhiyo ki taraf badh chala. Seedhiyo se hote huye wo vidhi ke kamre ke paas pahucha.

Dushyant ne vidhi aur pratiksha ki baate sun li thi is liye use pata tha ki uski bahan vidhi ke kamre me hi hai. Isi liye wo uske paas aaya tha taaki use fir se samjha sake. Kamre ka darwaza band tha is liye usne darwaze par knock kiya to andar se pratiksha ki awaaz aayi. Wo abhi aayi kah kar shayad darwaza kholne aa rahi thi. Kuch hi palo me darwaza khula aur bhai bahan ki nazre ek dusre se mili. Pratiskha dushyant ko dekhte hi pahle to muskuraayi fir ekdam se uska chehra latak gaya.

"Sorry bhaiya." Fir usne chehra latkaye huye hi maano udaas bhaav se kaha______"Mujhe yaad hi nahi raha tha ki aapne mujhe kya samjhaya tha. Par isme meri bhi zyada galti nahi thi. Darasal bhabhi itni zyada sundar thi ki unhe dekhte hi main sab kuch bhool gayi thi aur fir excitement me mere muh se unke liye bhabhi ji namaste nikal gaya tha...haan nahi to."

"Koi baat nahi gudiya." Dushyant ne kamre me daakhil hote huye kaha______"Lekin ab aisa dubara mat karna aur use bhabhi waabhi to bilkul bhi mat kahna. Wo sirf meri dost hai aur wo bhi mujhe sirf apna dost hi maanti hai. Is liye ab is baat ko achhe se yaad rakhna, thik hai na.?"

"Mujhe to lagta hai ki aap bewajah hi itna dar rahe hain bhaiya." Pratiksha ne halki muskaan ke sath kaha______"Bhabhi to bahut achhi hain aur unhone us wakt mujhe bhabhi kahne par kuch kaha bhi nahi tha....haan nahi to."

"Uffff fir bhabhi kaha tune." Dushyant ne pareshan lahje se kaha______"Maine tujhse kaha na gudiya ki ham sirf dost hain aur usne us wakt tujhe is liye kuch nahi kaha kyo ki wo teri pahli galti thi aur anjane me tujhse huyi thi magar dubara tere dwara aisa kahe jane par wo gussa ho jayegi. Uske baad wo ham dono ko yaha se baahar ka raasta dikha degi."

"Mujhe nahi lagta ki itni achhi ladki itna khatarnaak kaam karegi hamare sath." Pratiksha ne kaha_____"Aap to khamakha dar se kaape ja rahe hain. Aap mere wo bhaiya nahi hain jo kisi se bhi nahi darte the....haan nahi to."
"Ab main tujhe kaise samjhaau gudiya.?" Dushyant ne gahri saans lete huye kaha_______"Achha chal jane de. Tu araam kar le main ja raha hu."

Dushyant ye kah kar kamre se baahar nikal gaya jabki uske is tarah chale jane par pratiksha dhimi awaaz me hasne lagi thi. Fir usne darwaza band kiya aur bed par aa kar let gai. Dushyant ke aane se pahle wo fresh ho kar aur dusre kapde pahan kar hi bed par araam karne ke liye leti thi.

Idhar dushyant man me kayi tarah ki baate sochte huye niche aaya aur dring room se hote huye baahar ke darwaze ke paas pahucha hi tha ki piche se aayi vidhi ki awaaz se use ruk jana pada. Vidhi ne use rukne ke liye awaaz di thi. Dushyant samajh gaya ki ab uski class lagne ka time aa gaya hai. Usne ek gahri saans li aur palat kar vidhi ki taraf dekha.

"Is tarah chup chaap kaha bhaage ja rahe ho tum.?" Vidhi ne apne dono hath kamar me rakh kar aur use ghoorte huye kaha tha. Wo kareeb paanch kadam ki doori par hi khadi thi.
"Na...nahi to...main to kahi nahi bhaaga ja raha." Dushyant uski baat se ekdam baukhla gaya tha_____"Main to darwaze ki kundi lagane aaya tha."

"Kundi to maine usi wakt laga di thi jab tum apni bahan ko le kar aaye the." Vidhi ne usi position me apni kamar par haath rakhe huye kaha______"Aur zara ye to bataao ki tum pratiksha ko ye kya sikha padha kar laaye ho.?"

"Kya matlab.???" Dushyant ne buri tarah chaunkte huye kaha______"Maine bhala use kya sikhaya padhya.?"
"Zyada bhole mat bano tum." Vidhi ne sapaat lahje me kaha______"Tumne bhi achhi tarah suna tha ki usne mujhe kya kaha tha. Matlab ki jab maine tumhare pyar ko accept nahi kiya to ab tum pratiksha ki aad me ye sab karne lage.?"

"Tum galat samajh rahi ho vidhi." Dushyant uske paas jate huye gambheer bhaav se bola______"Maine pratiksha ko iske liye kuch bhi nahi sikhaya padhaya aur na hi main aisa karne ke bare me soch sakta hu. Meri nazar me ye sab karna had darze ka ghatiya kaam hai. Tum khud socho ki jab main khud hi tumhe kah chuka hu ki tumhe mere liye majbur hone ki koi zarurat nahi hai to fir main tumhe majbur karne aur karane wale kaam kaise karuga.? Ye sab maa ki vajah se hua hai. Jab tumne us din unse phone par baat ki thi tab unhone shayad ye samajh liya hoga ki ham dono ke bich aisa waisa rishta hai. Is khushi me unhone pratiksha se bhi ye sab bataya hoga. Ye sab usi vajah se hua hai. Agar tumhe is baat se bura laga hai to main pratiksha ki taraf se uske liye tumse maafi maagta hu."

"Zyada senti hone ki koi zarurat nahi hai." Vidhi ne usi sapaat lahje me kaha______"Mujhe pratiksha ke dwara waisa kahne ka zara bhi bura nahi laga hai. Wo to masoom hai. Mujhe laga waisa kahne ke liye usse tumne kaha hoga."

"Bilkul nahi." Dushyant ne kaha______"Main usse waisa kahne ke liye kah hi nahi sakta. Mujhe jo kahna tha wo maine pahle hi tumse kah diya tha."
"Khair chhodo is baat ko." Vidhi ne palat kar sofe par baithte huye kaha. Wo man hi man has rahi thi dushyant ki hawa nikaal kar. Idhar dushyant ne bhi maano chain ki saans li thi aur fir aa kar uske samne wale sofe par baith gaya.

"Wakeel sahab se baat cheet huyi tumhari.?" Dushyant ne vidhi ki taraf dekhte huye pucha.
"Haan wo subah gyaarah baje ke kareeb aaye the." Vidhi ne shaant bhaav se kaha______"Yaha wo ek ghante tak rahe. Hamare bich kafi saari baate huyi. Pahle to unhone yaha ki aisi security ke bare me mujhse pucha to maine unse saari baate bataayi jise sun kar wo kafi hairaan the. Uske baad business aur property se related baate hone lagi. Maine bhavnagar wali company ko chhod kar baaki teeno ko bench dene ke liye unse kah diya hai. Property me ye ghar aur bhavnagar wale bangale ko bachaya hai aur sath hi ek farmhouse ko bhi. Baaki property ko bechne ki baat kahi unse. Uska jo paisa hoga usme se adhe paise se maine ek naya anathashram kholne ko kaha unse. Usme sabhi anaath bachcho ka paalan poshan aur unki padhaayi ka sara kharcha hamari taraf se diya jayega. Uske alawa kuch paisa har mahine sameep ke hi ek briddhashram ko dene ki baat huyi."

"Ye to bahut hi achhi baat hai." Dushyant ne kaha______"Tumhare apne jiwan ke liye itni property aur paisa hi paryaapt hai."
"Sahi kaha." Vidhi ne kaha_____"Company ke sare workers ka hisaab puri imandari se kar ke unhe unka paisa diya jayega aur sath hi sabhi workers ko meri taraf se ek ek lakh rupaye diye jayege taaki kisi ke bhi man me asantosh na rahe. Bhavnagar wali company ka sara kaaryabhaar ab meri dekh rekh me hoga. Iske liye mujhe daily waha par jana hoga. Ye maine khud decide kiya hai kyo ki yaha akele baithne se behtar hai ki main isi me apna wakt bitaau."

"Starting me." Dushyant ne kaha_____"Thodi problem hogi jaanne samajhne me magar baad me tumhare liye sab easy lagne lagega."
"Haan ye to hai." Vidhi ne kaha_____"Waise dad ke bharosemand aadmi hain waha jinke bare me dad ne mujhe us din bataya tha ki wo meri puri help karege aur har chiz ke bare me baariki se batayege. Dad ne ye bhi bataya tha ki company me unka ek aur bharosemand byakti hai jo meri har tarah se help karega aur wo meri age se bas thoda sa hi bada hai. Dad ne us din ye bhi bataya tha ki wo byakti unhe bahut pasand tha aur wo use mera life partner banane ke bare me bhi soch rahe the."

"Ohh fir to ye aur bhi achhi baat hai." Vidhi ki is baat se dushyant ko zabardast jhatka laga tha magar fir jaldi hi usne khud ko samhaal liya tha______"Mere khayaal se tumhe jald hi company ka sara kaarybhaar samhaal lena chahiye. Main bhi ab koshish karuga ki ye case jald se jald nipat jaye taaki iski vajah se tumhe bhi is paabandi wali pareshani se nijaat mil jaye."

"Is case ke baad kya tum mujhse milne nahi aaoge.?" Vidhi ne dushyant ke chehre ki taraf dhyaan se dekhte huye puchha tha.
"Pata nahi." Dushyant ne ajeeb bhaav se kaha. Sach to ye tha ki vidhi ki us baat se uska dil toot sa gaya tha aur ab use vidhi ka vajood apne se bahut door hota dikhaayi dene laga tha jo ki uske liye behad dardnaak tha. Fir bhi apne machal rahe jazbaato ko samhaalte huye kaha_______"Is case ke baad tumhare is ghar me rahne ke liye mere paas koi khaas vajah bhi nahi rah jayegi. Main ek police wala hu is liye iske baad koi dusra case mil jayega jisme main busy ho jaauga. Dusri baat ye ki tum bhi iske baad yaha sara din akeli nahi rahogi. Tum bhi to apni company aur karobaar me busy ho jaaogi. Aise me ek dusre se milna milana shayad hi sambhav ho sake."

"Kamaal hai." Vidhi ne kaha______"Mujhse dosti ki baat karte ho aur ye bhi bol rahe ho ki milna milana sambhav nahi hoga.? Bhala ye kya baat huyi.?"
"Wakt hamesha ek jaisa kaha rahta hai vidhi.?" Dushyant ne feeki muskaan ke sath kaha______"Aaj wakt aisa hai ki avinash ke maamle ki vajah se ham dono is ghar me ek dusre ke aamne saamne baithe hain magar fir wakt badal jayega. Avinash ka maamla bhi nipat jayega aur mujhe bhi kisi dusre case me lag jana padega. Sab kuch badal jayega dost...na tum sara din yaha khaali baithi rahogi aur na hi main yaha aa paauga. Lekin haan is sab me ek cheez zarur huyi hai aur wo ye ki main na to is case ko kabhi bhool paauga aur na hi tumhe. Tumhare sath guzre huye chand dino ke ye lamhe mere liye ek khubsurat yaad ban kar rah jayege, jo mere dil ko khushi bhi denge aur shayad dard bhi."

"Ohh tum to senti ho gaye." Vidhi ne larazte huye swar me kaha aur fir sofe se uthte huye boli______"Main ham dono ke liye chaay bana kar laati hu."
"Hmmm." Dushyant iske siva kuch na bol saka. Uske dil par is wakt bada tez tufaan utha hua tha. Uska ji chaah raha tha ki dahaade maar maar kar rona shuru kar de magar usne khud ko badi mushkil se samhala. Uske hotho par ye soch kar feeki si muskaan ubhar aayi ki kabhi kabhi ek mard kitna bebas ho jata hai ki wo kisi ke saamne ji bhar ke ro bhi nahi sakta.

Dushyant se chaay bana kar lane ki baat kah kar vidhi badi tezi se kitchen ki taraf aayi thi. Kitchen me aate hi wo kitchen ke base par aankhe band kar ke khadi ho gayi thi. Uski dhadkane badi tezi se chal rahi thi. Band palko ki koro se aanshu ke katre nikal kar uske surkh gaalo par gir pade the. Usne to bas chhedne ke liye dushyant se company ke us kalpnik ladke se apne life partner wali baat kahi thi. Use nahi pata tha ki uski un baato se dushyant itna zyada senti ho jayega jisse ki wo aisi baate karne lage. Use uski bhavnaao ka bakhubi ahsaas tha. Dushyant ki baato ne uske dil ko jhakjhor kar rakh diya tha. Wo jaanti thi dushyant use kis had tak chaahta hai aur ab to wo bhi use utna hi chaahe lagi thi. Ye alag baat hai ki apni chaahat ko khul kar usse kahne ki na to usme himmat hoti thi aur na hi wo apni sharm ko khud se door kar sakti thi. Dosti ke rishte se wo dushyant se har lahje me baate kar leti thi aur isme use na to jhijhak mahsus hoti thi aur na hi use himmat jutaani padti thi.

"Tum buddhu ke buddhu hi rahoge dushyant." Vidhi ne apne gaalo par ludhke aanshu ke katro ko ponchhte huye dhime swar me jaise khud se hi kaha______"Tum ye kyo nahi samajh rahe ki main bhi tumhe chaahne lagi hu.? Kya tumhe meri aankho me zara sa bhi apne liye prem nahi dikhta.? Are buddhu main to aise hi tumhe chhed rahi thi aur tum ye samajh baithe ki main tumse ab door ho jaaugi. Nahi jaan...ab to main chaah kar bhi tumse door nahi ja sakti aur na hi tumse door hona chaahti hu. Tumhe agar mere jaisi ladki ki talaash thi to fir tum bhi ab ye samajh lo ki meri talaash bhi tum hi ho."

Kuch der me chaay ban gayi to vidhi ne use teen cup me dala aur fir sabse pahle apne dupatte se apni aankho ki nami ko achhe se ponchha uske baad wo haatho me tray le kar kitchen se baahar aa gayi. Kuch hi palo me wo dring room me pahuchi. Usne dekha ki sofe par dushyant kisi soch me dooba hua baitha tha. Use is tarah soch me duba dekh vidhi ke dil me ek tees si ubhri. Wo jaanti thi wo is wakt unhi baato ke bare me sochte huye apne dil ko jala raha hai. Vidhi ko apne aap par ye soch kar behad gussa aaya ki usne use aisi baato ke dwara chheda hi kyo tha.

Vidhi ne dushyant ko awaaz di to uski tandra bhang huyi. Usne chaunk kar vidhi ki taraf dekha to vidhi ko apne saamne tray liye khade paya. Vidhi tray liye thoda sa jhuki to dushyant ne usme se chaay ka cup plate ke sath utha liya. Uske baad vidhi ne ek cup tray se nikaal kar center table par rakha aur fir tray liye seedhiyo ki taraf badh gayi. Kuch hi der me wo waapas aayi aur dushyant ke saamne sofe par center table se apna cup utha kar baith gayi.

"Avinash ko chaay nahi diya kya tumne." Chaay ki ek chuski lene ke baad dushyant ne vidhi se pucha.
"Usi ko to de kar aayi hu abhi." Vidhi ne shaant bhaav se kaha______"Pratiksha ke liye nahi banaya kyo ki abhi wo araam kar rahi hai. Jab wo araam kar ke aayegi to ham sab sath me hi dinner karege."

Vidhi ki is baat par dushyant chup hi raha. Uske chehre par aise bhaav the jaise wo abhi bhi kisi cheez ke bare me soch raha ho. Vidhi lagataar usi ki taraf dekhe ja rahi thi. Dushyant ka dhyaan kahi aur hi tha. Vidhi ke zahen me khayaal ubhra ki uski baato ka asar dushyant par shayad kuch zyada hi ho gaya hai. Tabhi to wo ekdam se shaant aur gumsum sa nazar aane laga hai. Vidhi ko is baat se apne aap par fir gussa aane laga ki uski bevkufi ki vajah se ye sab hua hai.

"Achha tumne bataya tha ki tumne us bhediye ko pakad liya hai." Vidhi ne maahaul ko pahle jaisa banane ki garaz se kaha_____"Jo us naqab wale ko yaha ki suchnaaye deta tha.? Usse us naqab wale ke bare me tumhe kuch pata chala kya.?"

"Ye sab us naqab wale ki sochi samjhi saajish thi." Dushyant ne sapaat lahje se kaha______"Kyo ki bhediye ke roop me jo shakhs pakad me aaya wo hamare police thane ka sabse zyada imandar byakti hai. Wo byakti thane me ek mamuli sa hawaldaar hai jisne apni ab tak ki service me kabhi kisi se ek paisa bhi rishwat me nahi liya. Tumhe maine hawaldar bhanu singh ke bare me bataya tha na.?"

"To kya..??" Vidhi ke chehre par chaunkane ke bhaav ubhre.
"Haan." Dushyant ne uske sawaal ko samajh kar use bich me hi tokte huye kaha______"Wo bhediya bhanu singh hi hai jabki sach ye hai ki bhanu singh ko jaan bujh kar bhediye ke roop me fasaya gaya hai. Asal bhediya to koi aur hi hai jisne bhanu singh ko fasaya hai."

"Baat kuch samajh me nahi aayi." Vidhi ka dimaag jaise ulajh gaya tha.
"Badi seedhi si baat hai vidhi." Dushyant ne kaha_____"Hame is baat ka shak ho chuka tha ki hamare department me koi aisa byakti hai jo us naqab wale ko hamare har kriyakalaap ki jankari deta hai. Is liye ham us bhediye ki khoj me lag gaye. Yahi baat us naqaab wale ko bhi pata chal gayi ki mujhe is baat ka shak ho chuka hai aur ab main uske khabri ko khoj raha hu. Is liye usne iske liye ek chaal chali jisme usne bhediye ke roop me bhanu singh ko hame pakadwa diya aur apne asal khabri ko hamari pakad se door kar diya."

"Par naqab wale ne aisa kiya kyo.?" Vidhi ne hairaani byakt karte huye kaha______"Aakhir aisa kar ke use kya laabh hua hoga.?"
"Aisa karne se." Dushyant ne kaha______"Use ye laabh hoga ki ham ulajh kar rah jayege aur dubara naye sire se uske bhediye ki talaash karege. Tum samajh sakti ho ki isme wakt lagega aur wo naqab wala shayad wakt hi chaahta hai. Filhaal to abhi uske laabh ke roop me yahi samajh aa raha hai magar mujhe yakeen hai ki aisa karne ke pichhe uska iske alawa bhi koi dusra maksad hoga."

"Aur kya maksad ho sakta hai uska.?" Vidhi ne maano sochne wale andaaz se kaha______"Ye bhi to ho sakta hai ki aisa kar ke wo avinash tak pahuchne ka koi raasta bana raha ho."
"Ho sakta hai." Dushyant ne kaha______"Kyo ki avinash ko haasil karna uski pahli priority hai magar avinash tak pahuchna uske liye namumkin hai. Tumne dekha hi hai ki yaha par security ka kitna tagda intjaam kar rakha hai maine. Boundary wall me gupt roop se aise sensors lagaye gaye hain jis se agar koi unauthorised person us diwaar ko touch karega to andar system me fauran alarm baj uthega. Uske baad yaha ki security fauran hi harkat me aa jayegi."

"Chalo ye maan liya ki yaha par wo naqab wala pravesh nahi kar sakta." Vidhi ne kaha______"Magar ye baat to naqab wale ko bhi pata chal chuki hogi ki tumne yaha kitni tight security ka intjaam kar rakha hai. Aise me bhala wo yaha aane ki murkhata karega hi kyo.? Mujhe to isme kuch aur hi maamla samajh me aa raha hai."

"Kaisa maamla.?" Dushyant ne vidhi ki taraf dhyaan se dekha.
"Meri theory 'Door Ki Kaudi' word se related hai." Vidhi ne khaas bhaav se kaha______"Halaaki badi simple si theory hai. Jaise tum ye samajhte ho ki us din ke accident se mumkin hai ki avinash ki yaad daast waapas aa gayi hogi waise hi is baat ko kya wo naqab wala nahi samajhta hoga.? Mera khayaal hai ki itna shaatir byakti zarur is baat ko samajhta hoga."

"Tum kahna kya chaahti ho.?" Dushyant ke maathe par shikan ubhar aayi.
"Galat baat hai ye." Vidhi ne bura sa muh banaya______"Beech me kisi ki baat ko kaatna galat baat hai. Khair to main ye kah rahi thi ki waise hi is baat ko wo naqaab wala bhi samajhta hoga. Is baat ko le kar avinash ke sambandh me jo baate tum soch rahe the wahi baate us naqaab wale ne bhi sochi hogi. Yaani ki agar avinash ki yaad daast waapas aa gayi hai to use apne past ka sab kuch yaad aa jayega. Uske baad mauka dekh kar wo yaha se chup chaap khisak lega. Yaha se khisakne ke piche uska yahi maksad hoga ki uske sath jisne bhi bura kiya hai wo usse badla lega. Use to ye baat 101% pata hi hogi ki uske sath bura karne wala kaun hai. Is liye wo yaha se khisakne ke baad seedha apne dushman ke paas pahuchne ki koshish me jut jayega."

"Main abhi bhi nahi samajh pa raha hu ki tum kahna kya chaahti ho.?" Dushyant se raha na gaya to wo fir se bich me bol pada tha.
"Main asal mudde par hi aa rahi thi." Vidhi ne use ghoorte huye kaha______"Khair, to jaise tum ye sab baate avinash ke bare me uski yaad daast aane ki baat ko madde nazar rakhte huye soch rahe the, theek aise hi ye baate us naqaab wale ne bhi sochi hongi. Ab tum khud socho ki agar sach me avinash ki yaad daast aa gayi hai to wo tumhare anumaan ke mutaabik yaha se mauka dekh kar khisak jayega ki nahi.???"

"Haan kyo nahi." Dushyant ne jaise swikaar kiya_____"Kyo ki itna to saabit ho chuka hai ki uske sath past me zarur kuch bura hua hai is liye wo apna badla lene ke liye yaha se nikalne ki puri koshish karega magar main abhi bhi nahi samajh paya ki tumhare ye sab kahne ka matlab kya hai.?"

"Matlab to bada seedha sa hai mere pyare dost." Vidhi ne is baar muskurate huye kaha______"Jab tumhe khud lagta hai ki avinash yaha se khisak jayega to yahi baat wo naqaab wala bhi to sochta hoga. Aise me use avinash tak pahuchne ke liye is ghar me ghusne ki kya zarurat hai.? Uska shikaar to khud hi yaha se nikal kar uski pakad me asaani se aa jayega na."

Vidhi ki is baat se dushyant ke mano mastishk me jaise jhanaka sa hua. Dimaag ki batti badi tezi se jali aur fir palak jhapakte hi saari baat uski samajh me aa gayi. Chehre par aashcharya liye wo vidhi ko is tarah dekhne laga tha jaise vidhi ke sir par achanak hi tajmahal aa kar katthak karne laga ho.

"Door Ki Kaudi word se related meri ye theory inspector dushyant ko kaisi lagi.?" Dushyant ki haalat ka lutf uthaate huye vidhi ne muskurate huye usse pucha.
"Tumne to mujhe lajawaab aur hairaan kar diya yaar." Dushyant ne gahri saans lete huye kaha______"Tumhari ye theory yakeenan kaabile taarif hai. Mere zahen me ye baat aayi hi nahi thi ki avinash ke sambandh me jo baate main soch sakta hu wahi baate wo naqab wala bhi to soch sakta hai. Aakhir wo bhi to dimaag se shaatir byakti hai. Tumne bilkul sahi kaha. Us naqab wale ko bhala is ghar me ghusne ki zarurat hi kya hai jabki uska shikaar khud hi yaha se nikalne ki khwaahish rakhta ho."

"Bilkul." Vidhi ne kaha______"Aur mere khayaal se usne tumhe isi liye uljhaya hai taaki tumhare zahen me ye sab baate na aa sake aur tum uske asal bhediye ko khojne me apna dimaag lagate raho. Jabki uska asal bhediya use ye batata rahega ki tum yaha kya kar rahe ho aur sath hi wo is ghar par bhi nazar rakhega taaki use is baat ka pata bhi chalta rahe ki avinash agar sach me yaha se nikalta hai to wo kab nikalta hai aur fir nikal kar kaha jata hai."

"Yakeenan tumhari in baato me vajan hai." Dushyant vidhi ke dimaag ki man hi man prasansha karte huye bola______"Lekin iska ek dusra pahlu ye bhi to hai ki agar avinash ki yaad daast sach me na aayi ho tab to naqab wale ke armaano par paani hi fir jayega."

"Avinash ki yaad daast aane aur na aane ke ye dono pahlu aise hain jinke vaastavik sach ka pata ham me se kisi ko bhi nahi hai." Vidhi ne kaha_____"Ham sab to iske bare me sirf apni sambhaavnaye hi byakt kar rahe hain lekin iska koi na koi pahlu to vaastavik sach me shumaar hoga hi. Ek pal ke liye ham agar ye maan le ki uski memory waapas nahi aayi hai to us surat me naqab wala yakeenan koi dusra raasta dekhega, kyo ki use to har haal me avinash chahiye. Wahi agar ye maan le ki avinash ki memory sach me waapas aa gayi hai to us surat me dono ke liye ye situation gambhir ho jaayegi. Ek taraf wo naqab wala hai jo aisi situation me kuch bhi kar ke avinash ko haasil karna chahega aur dusri taraf tum ho. Tum yakeenan ye nahi chaahoge ki itni security ke baavjud avinash yaha se nikal jaye aur wo naqab wale ke hath lag jaye. Kyo ki aise me mumkin hai ki tumhari naukari par sankat paida ho jaye."

"Mujhe lagta hai." Dushyant ne lambi saans kheechte huye kaha______"Ki itna to us naqab wale ne bhi mujhe nahi uljhaya hai jitna ki tumne apni in baato se mujhe uljha ke rakh diya hai."
"Isi liye to kahti hu." Vidhi ne ghoorte huye kaha______"Ki dhele bhar ka bhi sense nahi hai tumhare paas."

"Kiske paas sense nahi hai.?" Dushyant kuch bolne hi wala tha ki tabhi dring room me aate huye pratiksha ne pucha.
"Aree bada jaldi araam kar liya tumne." Vidhi ne baat ko badalte huye jaldi se muskura kar kaha.
"Haan bha......mera matlab hai ki main bed par leti to araam karne ke liye hi thi." Pratiskha ke mukh se bhabhi shabd nikalne wala tha magar fir use yaad aa gaya tha is liye jaldi se baat ko badalte huye usne kaha______"Magar fir mujhe aisa lagne laga jaise ki mujhe bhookh lagi hai. Ab aap to jaanti hi hain ki khaali pet araam bhi nahi hota. Isi liye kamre se yaha chali aayi...haan nahi to."

"Achha aisi baat hai kya.?" Vidhi uski baato se muskura kar boli______"Chalo koi baat nahi. Main tumhare liye garma garam khana ready karti hu. Tab tak tum inke paas baitho."
"Inke paas.?????" Pratiksha ne vidhi ki taraf dekhte huye shararat se muskura kar kaha______"Inke kya hota hai.? Bhaiya ka koi naam nahi hai kya.??"

Pratiksha ki in baato se jaha vidhi buri tarah jhemp gayi thi wahi dushyant ye soch kar ghabra gaya tha ki ab jane uski bahan vidhi se kya kya kahne lage. Udhar pratiksha ki is baat par vidhi ne khud ko samhaalte huye kaha______"Are mera matlab ye tha pratiksha ki tum apne bhaiya dushyant ke paas baitho. Bhala aisa kaise ho sakta hai ki tumhare bhaiya ka koi naam hi na ho.?"

"Wahi to." Pratiksha ne dushyant ke bagal me dhamm se baithte huye kaha______"Mujhe laga yaha aapke paas rahne se bhaiya ka naam hi gul ho gaya hai. Hehehe...haan nahi to."
"Isi liye tujhe kabhi apne paas nahi bulata tha." Dushyant ne sahsa kheejhte huye kaha______"Kyo ki tu bewajah anaap shanaap bolne lagti hai."

"Ab usne aisa kya kah diya jo tum us masoom par gussa karne lage.?" Vidhi ne dushyant ke chehre par naraazgi dekhi to usne jaldi se kaha______"Tum mardo ko kya pyar se baat karna nahi aata.?"
"Chal aa ja." Dushyant ne jab dekha ki pratiksha uski baat se subakne lagi hai to usne use apne se chhupkate huye kaha______"Tu to meri gudiya hai na. Achha dekh main tujhse sorry bol raha hu....chal ab maaf kar de apne bhaiya ko."

"Dekha na." Pratiksha ne vidhi ki taraf dekhte huye muskura kar kaha______"Aise hain mere bhaiya. Mere sabse pyare bhaiya hain. Mujhe rote huye nahi dekh sakte kyo ki main inki jaan hu....haan nahi to."
"Haan wo to main dekh hi rahi hu." Vidhi ne muskurate huye kaha______"Achha ab tum apne bhaiya ke paas ruko, main tumhare liye garma garam khana thaali me saja kar laati hu."

"Aree rukiye main bhi chalti hu aapke sath." Pratiksha ne jhat se uthte huye kaha______"Main yaha mehmaan ban ke thodi na aayi hu. Ab main bhi har kaam me aapka haath bataaugi. Aapko akele kuch nahi karne dugi...haan nahi to."

Vidhi uski masoom baate sun kar muskura uthi aur fir wo pratiksha ko sath liye kitchen ki taraf badh gayi. Sofe par baitha dushyant apni bahan ki baato me vidhi ke prati chhupe apnattwa ke bhaav ko mahsus kar raha tha. Wo bakhubi samajh raha tha ki chaahe jitna pratiksha ko samjha lo magar wo karegi wahi jo karne ka wo soch kar yaha aayi hai.
 
Bᴇ Cᴏɴғɪᴅᴇɴᴛ...☜ 😎
1,621
5,929
143
BEGUNAAH
Update - 27

_______________________________


Ab Tak,,,,,

"Aree rukiye main bhi chalti hu aapke sath." Pratiksha ne jhat se uthte huye kaha______"Main yaha mehmaan ban ke thodi na aayi hu. Ab main bhi har kaam me aapka haath bataaugi. Aapko akele kuch nahi karne dugi...haan nahi to."

Vidhi uski masoom baate sun kar muskura uthi aur fir wo pratiksha ko sath liye kitchen ki taraf badh gayi. Sofe par baitha dushyant apni bahan ki baato me vidhi ke prati chhupe apnattwa ke bhaav ko mahsus kar raha tha. Wo bakhubi samajh raha tha ki chaahe jitna pratiksha ko samjha lo magar wo karegi wahi jo karne ka wo soch kar yaha aayi hai.


Ab Aage,,,,,,


Shaam ko inspector dushyant security officer se kafi der tak kuch baate karta raha. Security officer se baat karne ke baad usne kisi se mobile phone se baat ki. Uske baad wo waapas bangale ke andar aa gaya. Darwaza band kar ke wo chup chaap apne kamre me chala gaya. Vidhi aur pratiksha kitchen me dinner bana rahi thi. Kitchen se pratiksha ki hi awaaze aa rahi thi jo jane kya kya bolti ja rahi thi aur vidhi uski baate sun kar kabhi hasne lagti to kabhi kuch bol kar chup ho jati thi.

Apne kamre me pahuch kar dushyant bed par chup chaap let gaya tha. Uske chehre par gardish kar rahe bhaav saaf bata rahe the ki is wakt wo mayoos aur udaas tha. Upar chhat par lage kunde par ghoom rahe pankhe ko dekhte huye wo kisi gahre khayaalo me gum sa ho gaya tha. Baar baar uske zahen me vidhi ki wo baate goonjne lagti thi jo usne usse kahi thi.

Dushyant ka hriday vidhi ki baato se aahat sa ho gaya tha. Baar baar uske dil me ek asahneey tees ubhar uthti thi. Ek hi khwaahish thi uski ke wo ek aisi ladki se hi shadi karega jise dekh kar uska dil cheekh cheekh usse kahe ki yahi hai wo jiski use barso se talaash thi. Apni is khwaahish ke chalte usne kabhi bhi kisi ladki se koi kareeb ka rishta nahi rakha tha. Apni isi khwaahish ki vajah se usne ab tak shadi bhi nahi ki thi aur ghar me apne pita se uske rishte bigad chuke the.

Zindagi me pahli baar use uski pasand ki ladki mili jo uske dil me utar gayi magar wo use haasil na huyi. Vidhi ne shuru me bhale hi uske prem ko na swikaara raha ho magar dosti ke rishte se wo uske kareeb to tha aur sabse badi baat ye ki use kahi na kahi ye ummid bhi thi ki wo vidhi ka dil jeet kar use ek din apna zarur bana lega. Kintu aaj vidhi ki baato ne use zabardast jhatka de diya tha. Vidhi ki baato se sirf uska dil hi nahi toota tha balki uski ummide bhi chakna choor ho gayi thi. Use ab aisa lag raha tha ki wo yaha se kahi aisi jagah chala jaye jaha par uske alawa dusra koi bhi na ho, taaki wo upar baithe khuda ko dekhte huye bilakh bilakh kar ro sake. Yaha duniya walo ke samne ro kar wo kisi ko apne aanshu nahi dikhana chaahta tha.

Ishq ek achhe khaase insaan ko kya se kya bana deta hai iska udaahran is wakt wo khud ban baitha tha. Police department ka ek sabse kaabil aur imandaar officer is wakt ishq me mile dard ko jazb karne ki koshish kar raha tha. Use is baat ka gumaan tak nahi tha ki jo dard is wakt wo mahsoos kar raha tha uska milna bhi mahaj uski nadaani aur na-samjhi ka hi nateeja tha, warna haqiqat to isse bahut juda thi jiska wo tasavvur bhi nahi kar pa raha tha. Vidhi to ab usi ki ho chuki thi. Jitna pyar wo usse karta tha utna hi pyar wo bhi to usse karne lagi thi magar is baat ko samajhne ke liye ya kahe ki is baat ko mahsoos karne ke liye use vidhi ki aankho me thoda gahraayi se jhaankne ki darkaar thi.

Dinner ready hua to vidhi ke kahne par pratiksha uske kamre me aa kar use dinner karne ke liye bulaane aayi. Chanchal aur chulbuli pratiksha ne is baat par zyada gaur hi nahi kiya ki is waqt uska bhai kin baato ke chalte dukhi haalat me pada hua tha. Wo to vidhi ke sath rahne ki khushi me hi magan thi. Uske zahen me to yahi tha ki vidhi ab uski bhabhi hi hai. Use kya pata ki uska na-samajh bhai bewajah hi apne dil ko dukhi kar ke leta hua tha.

Avinash ko vidhi uske kamre me hi khana de aayi thi. Uske baad baaki teeno ne ek sath hi baith kar dinner karna start kiya. Pratiksha to apne swabhaav ke anusaar khaate wakt bhi kuch na kuch bolti hi ja rahi thi aur udhar vidhi uski baate sun sun kar halke se muskura uthti thi magar dushyant ekdam khamosh tha. Sach to ye tha ki is waqt use zara si bhi bhookh nahi thi. Khane ka ek niwala bhi uske halak se niche nahi utar raha tha magar iske baavjud wo sirf is liye baith kar niwaale ko apne mukh me thoos raha tha ki vidhi aur pratiksha me se koi ye na puchh baithe ki wo kha kyo nahi raha hai ya use bhookh kyo nahi hai.?

Pratiksha ki chulbuli baato se vidhi bhale hi muskura uthti thi kintu dushyant ki khamoshi dekh kar use samajhne me der nahi lagi thi ki wo is wakt itna shaant aur khamosh kyo hai. Wo jaanti thi ki uski baato ki vajah se dushyant is wakt khamosh hai. Halaaki usne wo sab baate to bas use chhedne ke liye hi kahi thi. Use bilkul bhi andaza nahi tha ki uski un baato se dushyant itna serious ho jayega. Is waqt dushyant ki ye khamoshi khud vidhi ke dil ko bhi dukhi kar rahi thi. Use apne aap par behad gussa aa raha tha ki usne aisi baato se dushyant ko chheda hi kyo tha.?

Vidhi bhala ab ye kaise chaah sakti thi ki jise wo behad pyar karne lagi hai use uski vajah se koi taklif ho jaye. Wo khud dushyant se apne dil ki baat kahne se jhijhakti thi isi liye usne dushyant se us din uski family ke bare me pucha tha aur jab usne apni family ke bare me batate huye chhoti bahan pratiksha ke bare me bataya to vidhi ko pratiksha ke roop me apne liye ek jariya nazar aa gaya tha. Uske baad usne fauran hi faisla kar liya tha ki wo pratiksha ko yaha bulayegi aur fir pratiksha ke hi jariye wo dushyant ko bata degi ki wo bhi usse prem karti hai.

Dinner khatam hua to dushyant utha aur washbasin me hath dho kar chup chaap hi apne kamre ki taraf chala gaya. Uska chup chaap is tarah se chale jana vidhi ke dil par jaise aghaat sa kar gaya tha. Wo usse bahut kuch kahna chaahti thi magar chaah kar bhi usse kuch bol na paayi thi. Use pahli baar ahsaas hua ki usne dushyant se wo sab kah kar apne aur dushyant ke bich ek diwaar si khadi kar di hai. Is ahsaas ne vidhi ko buri tarah jhakjhor kar rakh diya. Uska ji chaha ki wo bhaag kar dushyant ke kamre me jaaye aur waha wo dushyant ke seene se lipat jaye. Dushyant se lipat kar wo usse cheekh cheekh kar kahe ki wo use maaf kar de. Uski ye khamoshi usse sahan nahi hogi magar pratiksha ki maujudgi me wo aisa nahi kar sakti thi aur na hi aisa karne ki usme himmat thi.

Raat me do alag alag kamro me bed par lete huye dono premi ek dusre ke bare me sochte huye jane kab tak karwate badalte rahe. Aakhir neend ne dono par meharbaani ki to dono so gaye. Subah huyi aur ek naye din ki shuruaat huyi. Jaha vidhi ye soch rahi thi ki kaise wo dushyant ke chehre par khushi laaye to wahi dushyant ab ye soch raha tha ki ye case ab jald se jald khatam ho jaye aur wo apni bahan ko le kar vidhi ke is bangale se chala jaye. Iske pahle jaha wo yahi koshish karta tha ki wo zyada se zyada vidhi ke paas hi rahe wahi ab wo is koshish me lag gaya tha ki jitni jaldi ho sake wo vidhi se door chala jaye. Kyo ki ab use lagne laga tha ki jitna wo vidhi ke paas rahega utna hi wo uske aur apne prem ke bare me sochega jisse uska dil aur bhi zyada dukhega.

Subah breakfast karne ke baad dushyant avinash ke kamre me gaya aur use fauran hi taiyar ho jane ka hukum de diya. Avinash ne puchna to chaha magar dushyant ke chehre par chhayi kathorta ko dekh kar usne usse ye puchne ka irada multavi kar diya ki wo use fauran taiyar hone ke liye kyo kah raha hai.?

Avinash fauran hi taiyar hua aur fir dushyant ke sath niche aa gaya. Dring room me pratiksha ne jab apne bhaiya ko avinash ke sath dekha to usne puch hi liya ki wo kaha ja rahe hain. Pratiksha ke puchne par dushyant ne bas yahi kaha ki zaruri kaam se baahar ja rahe hain.

Bangale se baahar aa kar dushyant ne avinash ko apni police gipsy me baithne ko kaha. Security officer ko shayad usne pahle hi samjha diya tha is liye uske baithte hi uske piche do special police wale bhi gipsy me baith gaye. Ek dusri jeep me do teen police wale pahle se hi baithe huye the. Dushyant ne jaise hi gipsy ko start kar ke aage badhaya to pichhe wali jeep bhi uske pichhe chal padi.

<>•<>•<>

"Tumhe yaha aane ki kya zarurat thi dushyant.?" Hospital ke cabin me kursi par baithe dr sanyaal ne kaha______"Mujhe phone kar dete to main khud hi aa jata."
"Maine socha tum busy hoge." Dushyant ne sapaat bhaav se kaha______"Is liye khud hi yaha aa gaya. Dusri baat ye bhi thi ki mujhe avinash ka check up karwana tha. Asal me kal ise kamre me achanak bahut zyada ghutan hone lagi thi jiski vajah se iski tabiyat bigad gayi thi. Aisa iske sath pahli baar hi hua hai. Halaaki jab ye chhat par khuli hawa me gaya to better mahsus karne laga tha."

"Agar aisi baat hai." Doctor sanyaal ne kaha______"To main checkup kar leta hu aur kuch tablets bhi likh duga."
"Aur iske haath me chadhe huye is plaster ka kya." Dushyant ne ek nazar avinash ke haath par daalte huye pucha_____"Mujhe lagta hai ki ab ise iske haath se nikaal dena chaahiye tumhe."

"Haan iske liye main tumse bolne hi wala tha." Doctor sanyaal ne kaha______"Iske liye abhi kam se kam ek hapte ka time aur lagega. Uske baad main is plaster ko nikaal duga."
"Mujhe to aisa lag raha hai doctor sahab." Sahsa is beech avinash bol pada______"Ki ab aapko ise nikaal hi dena chahiye kyo ki mujhe aisa mahsus ho raha hai ki ab mera haath bilkul thik ho gaya hai. Iski vajah se andar mere haath me kabhi kabhi khujli si hoti hai."

"Haan main samajh sakta hu." Doctor sanyaal ne kaha______"Aur isi liye aapko maine tablets di thi. Wo isi ke liye thi. Khair abhi jaisa ki maine kaha ki kam se kam ek hapte ka time aur lagega to tab tak ise nikaalna thik nahi hoga. Waise bhi ye aapke liye hi behtar hoga is liye ise aise hi rahne dijiye. Filhaal abhi mere sath aaiye. Main aapka checkup kar leta hu."

Doctor sanyaal ke kahne par avinash kursi se utha aur fir doctor ke sath cabin se baahar chala gaya, jabki dushyant wahi kursi par baitha kisi khayaal me doobta nazar aane laga. Kareeb pandrah minute baad doctor sanyaal aur avinash wapas cabin me aaye. Doctor sanyaal ne yahi kaha ki koi vishesh baat nahi hai. Lagataar ek hi kamre me rahne se aisa hua tha baaki koi problem wali baat nahi hai.

Doctor se ijaazat le kar dushyant avinash ke sath vidhi ke bangale ki taraf badh chala. Avinash ko bangale par chhodne ke baad dushyant apni police gipsy le kar waapas nikal gaya tha. Bangale ke andar jane ka uska man nahi kiya tha. Jabse use vidhi ke dwara ye sunne ko mila tha ki uski company me uski age ka koi ladka employee tha jiske sath vidhi ke dad uski shadi ke bare me soch rahe the tabse dushyant ka dil byathit ho chuka tha aur ab wo vidhi ke saamne jane se parhez kar raha tha. Uska vash chalta to wo aaj hi apni bahan ko le kar is bangale se chala jata magar jab tak ye case sulajh nahi jata tab tak use yaha par rahna jaise majburi thi.

Police thane pahuch kar wo sub inspector vikrant se mila. Wo ab behtar tha aur uski chote bhi thik ho gai thi. Thane par maujud uska muh laga hawaldar bhanu singh use dekh kar aaj us tarah se khush nazar nahi aaya tha jaise pahle uske aane se khush ho jata tha. Iski vajah yahi thi ki pichhle dino us par ye ilzaam laga tha ki wo naqab wale ka bhediya hai. Halaaki dushyant aur yaswant dono ne hi use clean chit de di thi magar iske baavjud uske zahen se ye baat nahi gai thi aur shayad vajah thi ki wo pahle ki bhaanti dushyant ko dekh kar khush nahi hua tha.

Thane me dushyant kafi time tak raha aur vikrant se avinash ke maamle wale case se related kafi der tak baate karta raha. Uske baad wo thane se nikal kar apni gipsy lekar yaswant se milne chala gaya. Aadhe ghante baad wo yaswant ke thane me uske cabin me baitha cigarette phoonk raha tha.

"Kya baat hai." Yaswant ne dushyant ki taraf dhyaan se dekhte huye kaha______"Aaj tumhara chehra latka hua sa kyo nazar aa raha hai.? Kahi tumhe department se nikaal to nahi diya gaya.?"
"Tum to sale chaahte hi yahi ho." Dushyant ne use ghoorte huye kaha______"Ki mujhe kachra samajh kar department se baahar fenk diya jaye."

"Ye sab chhod aur ye bata ki pratiksha yaha aa gayi ki nahi.?" Yaswant ne kaha______"Tune bataya tha na ki vidhi ne use bulaya hai."
"Haan kal aa gayi hai wo." Dushyant ne kaha______"Aur tujhe to pata hi hai uski fitrat."
"Kya usne kuch gazab kar diya hai.?" Yaswant ne halki muskaan ke sath kaha______"Kahi usne vidhi ke saamne tujhse kuch ulta sidha to nahi bol diya.?"

"Wo chhod aur ye bata ki asal bhediye ka kuch pata chala ki nahi.?" Dushyant ne kaha______"Uski jo jo location hame mili thi un locations par tune chhaanbeen ki ke nahi.?"
"Chhaanbeen to barabar ki bhai." Yaswant ne gahri saans lete huye kaha______"Magar jaisa ki mujhe pahle se hi ummid thi waisa hi hua. Yaani ki koi faayda nahi hua. Mere khayaal se wo bahut hi zyada shaatir hai. Usne apne khilaaf aisa koi saboot chhoda hi nahi hai jisse ki ham use pakad sake. Kahne ka matlab ye ki usne har baar ek alag location me ja kar apne khabri se baat ki thi. Matlab saaf hai ki wo ye hargiz bhi nahi chahta tha ki police kisi bhi tarah se us tak pahuche. Ab rahi baat uske bhediye ki to uski chhanbeen abhi jaari hai. Is waakye se itna to ab wo bhi samajh hi gaya hoga ya fir use us naqaab wale ne samjha diya hoga ki use ya to pahle se bhi zyada satark rahna hoga ya fir kuch din ke liye khabar dene wali activities band karni hogi. Aisi surat me us bhediye ko pakad pana bhi itna asaan nahi hoga."

"Iska to yahi matlab hua pyare." Dushyant ne kaha______"Ki ham na to us naqaab wale ko talaash kare aur na hi uske bhediye ko. Kyo ki ham chaahe kuch bhi kar le magar hame kuch bhi haasil hone wala nahi hai. Badi ajeeb baat hai ki ye case aisa uljha hua hai ki kahi se iska koi clue haath nahi lag raha. Jis din wo bhediya pakad me aaya tha to laga tha ki ab ham us naqaab wale tak pahuch hi jayege magar hamari saari ummido par us waqt paani fir gaya jab hame ye realise hua ki jis bhediye ko hamne pakda hai use kisi gahri saazish ke tahat bhediya bana kar hamare samne jaise paros diya gaya hai. Jabki asal bhediya to abhi bhi hamari pahuch se door hai. Agar ham ye kahe to zara bhi galat nahi hoga dear ki us naqaab wale ne aisa kar ke hame ek zabardast tamasha dikha diya hai."

"Baat kadwi zarur hai bhai." Yaswant ne kaha______"Magar ye baat sach hai. Yakeenan usne aisa kar ke hame tamasha hi dikhaya hai. Ek tarah se ye samajh lo ki wo hame khel khila raha hai."
"Ab ek khel ham bhi use khilayenge pyare." Dushyant ne thande swar me kaha______"Ham use dikhayege ki dushyant the great ko khel khilane ka anjaam kya hota hai."

"Kya karne wale ho tum.?" Yaswant ne dushyant ki taraf dhyaan se dekhte huye pucha.
"Bas dekhte jaao pyare." Dushyant ne kaha______"Aur haan ab tumhe bhi uske bhediye ko talaash karne ke liye kast uthane ki zarurat nahi hai. Ham bhi dekhte hain ki uska bhediya usko hamare yaha ki khabre de kar kab tak use kamyaab banaye rakhne me uski help karta hai."

"Aakhir tum karne kya wale ho.?" Yaswant ne na-samajhne wale bhaav se kaha_____"Tumhari in baato se to lagta hai ki tumhare haath usse related koi suraag lag gaya hai. Tabhi aisi baate kah rahe ho. Agar aisa hi hai to mujhe bhi bataao kuch iske bare me."
"Hamne kaha na dear ki bas dekhte jaao." Dushyant ne ek nayi cigarette jalaate huye kaha______"Filhaal ham chalte hain. Tumhe gudiya se milne aana ho to aa jana."

Dushyant ki baat sun kar yaswant use ghoorta rah gaya jabki dushyant kursi se utha aur cabin se baahar aa gaya. Uske pichhe yaswant bhi baahar aa gaya. Thane se baahar aa kar dushyant apni gipsy me baitha aur fir gipsy ko start kar ke aage badh chala.

<>•<>•<>

Apne kamre me bed par leti vidhi pratiksha se baate zarur kar rahi thi magar uska dhyaan dushyant ki taraf hi laga hua tha. Subah breakfast kar ke dushyant avinash ko le kar chala gaya tha. Uske baad wo bangale me avinash ko chhod kar fir se kahi chala gaya tha. Dopahar me lunch ke liye vidhi aur pratiksha dono ne dushyant ka intzaar kiya tha magar dushyant ghar nahi aaya tha. Vidhi ke kahne par pratiksha ne dushyant ko call bhi kiya tha magar dushyant ne ye kah kar call cut kar di thi ki wo shaam tak hi waapas aa payega. Is liye lunch ke liye wo log uska intzaar na kare.

Dushyant ke na aane se vidhi ka chehra utar gaya tha. Use achhi tarah pata tha ki dushyant ne aane se kyo mana kar diya tha. Jabki aisa kabhi nahi hota tha ki wo use bulaye aur wo aane se mana kar de. Vidhi ko uske na aane ka itna bura nahi lag raha tha jitna is baat se use dukh ho raha tha ki uski un baato ki vajah se dushyant ab usse kat raha hai. Pratiksha ke samne wo is baat ko zaahir nahi karna chaahti thi magar pratiksha bhi koi chhoti si bachchi nahi thi. Use bhi vidhi ka utra hua chehra dekh kar kuch kuch andaza ho raha tha. Apne chamchal swabhaav ki vajah se usne hasi mazaak me hi usko is baat ke liye kayi baar chhed diya tha.

Shuru me to dono ek dusre ke bare me kafi der tak baate karti rahi thi. Vidhi zyadatar pratiksha se uski family ke bare me hi puch rahi thi aur pratiksha ke puchne par usne bhi use bataya tha ki uske dad ne uski mom ki hatya kar di thi jiski vajah se ab wo jail me hain. Uski mom ke murder wale case me hi dushyant ka uske yaha aana jana shuru hua tha uske baad dono ke bich dosti ho gayi thi. Pratiksha ne jab kured kured kar usse puchha to usne sara kissa hi use bata diya.

Pratiksha apne bhaiya ke bare me badha chadha kar vidhi ko bata rahi thi. Pratiksha ne vidhi ko ye bhi bataya ki uske bhaiya ne ab tak kyo shadi nahi ki hai. Baato baato me pratiksha ne vidhi se ye bhi kaha ki usne apne bhaiya ki aankho me uske prati prem dekha hai to agar bhaiya usse apne prem ka izhaar kare to kya wo unke prem ko accept karengi.? Pratiksha ke is sawaal par vidhi chup rah gayi thi. Uske dil ne to cheekh cheekh kar kaha ki usne to kab ka dushyant ke prem ko accept kar liya hai magar zubaan se kahne me use sharm aur jhijhak mahsus hoti hai. Vidhi ki khamoshi ne pratiksha ko ye bata diya tha ki vidhi ko uske bhai ka prem swikaar hoga magar wo uske mukh se sunna chaahti thi. Pratiksha ne use ye bhi bataya ki us din jab usne uski maa se phone par baat ki thi to maa bahut khush huyi thi aur fir usne unse pratiksha ko bhej dene ke liye kaha to unhone bina ek par ki deri kiye haan kah diya tha. Baad me maa ne use yahi bataya tha ki uske bhai ne apne liye ladki pasand kar li hai. Maa ki baat se wo khud bhi bahut khush ho gayi thi aur fir wo jald se jald yaha aana chaah rahi thi taaki wo jaldi se apni hone wali bhabhi ko apni aankho se dekh sake.

Pratiksha ki ye baate vidhi ke man me khushi ke laddu ki tarah foot rahi thi aur aakhir me use pratiksha se kahna hi pada ki wo uske bhai ko pasand karti hai magar uske samne usse kahne me use behad sharm aur jhijhak mahsus hoti hai. Vidhi ki is baat se pratiksha khushi se naachne lagi thi. Vidhi ke dono haath pakad kar wo kamre me hi use gol gol ghumaye ja rahi thi.

Dopahar ko jab dushyant na aaya to dono ki ye khushi udaasi me badal gayi thi. Pratiksha to phone par hi sab kuch bata dene wali thi magar vidhi ne use is bare me batane se mana kar diya tha. Uska kahna tha ki wo koi achha sa mauka dekh kar khud hi dushyant se kah degi ki use uska prem swikaar hai. Dopahar se shaam ho gayi thi magar dushyant abhi tak nahi aaya tha.

"Waise to mere bhaiya bahut samajhdaar hain." Pratiksha ne kaha______"Lekin is maamle me wo shayad abhi kachche hain warna kya unhe zara bhi is baat ka ahsaas na hota ki aap bhi unse prem karti hain. Aapne mana kar diya hai mujhe warna unke aate hi main unse ye baat kah deti....haan nahi to."

"Maine tumhe yahi soch kar yaha bulaya tha." Vidhi ne gahri saans lete huye kaha______"Ki tumhare jariye main apne prem ko tumhare bhaiya tak pahucha dugi magar ab ye kaam mujhe khud hi karna hoga. Haalaki mere liye aisa karna bahut hi mushkil hai lekin ab mujhe apni sharm aur jhijhak ko apne andar se nikaalni hi hogi pratiksha. Kyo ki ab hamare bich ek diwaar si khadi ho gayi hai."

"Ye aap kya kah rahi hain.?" Pratiksha ne chaunkte huye puchha______"Aap dono ke bich bhala kaisi diwaar khadi ho gayi hai.?"
"Ye diwaar meri hi bevkufi se khadi huyi hai pratiksha." Vidhi ne kaha_____"Halaaki maine to tumhare bhaiya ko chhedne ke uddeshya se hi wo baat kahi thi magar dushyant meri baat ko sach maan gaya aur us baat se wo serious ho gaya. Yahi vajah hai ki subah breakfast karte waqt wo ekdam khamosh tha aur fir ab tak uske wapas na aane ki vajah bhi yahi hai. Is liye ab mujhe khud hi use batana hoga ki sach kya hai. Mujhe nahi pata tha ki wo meri us baat se itna serious ho jayega warna main use aisi baat se chhedti hi nahi. Maine dushyant ka dil dukha diya pratiksha. Dekho na kitni buri hu main."

"Nahi nahi...aap buri nahi hain bhabhi." Pratiksha ne vidhi ki aankho se ekdam chhalak aaye aanshu ko jaldi se ponchhte huye kaha______"Aur buri ho bhi nahi sakti hain. Aap to meri sabse achhi wali bhabhi hain. Wo sab to ek mazaak tha jise bhaiya samajh nahi paaye. Dekhna jab aap bhaiya se kahengi ki aap bhi unhe pyar karti hain to bhaiya kitna khush ho jayenge. Rukiye main fir se bhaiya ko phone lagati hu aur unse kahti hu ki jaldi se ghar aaye warna main unse baat nahi karugi. Haan nahi tooo."

Vidhi ne use rokna chaha magar pratiksha na ruki. Usne jhat se apna phone nikaal kar dushyant ko phone laga diya. Kuch hi palo me ring ke sath alag se kahi ring tone ki awaaz bhi sunaayi di to vidhi chaunki. Usne pratiksha ko dhire se bataya ki lagta hai dushyant aa gaya hai. Kyo ki uske mobile ki ringtone ki awaaz niche sunaayi de rahi thi. Pratiksha ne bhi jab suna to usne jaldi se phone kaat diya aur kamre se baahar ki taraf daud chali.

Pratiksha ke jate hi vidhi ka dil ye soch kar tezi se dhadakne laga ki wo dushyant se kaise kah payegi ki wo bhi use prem karti hai. Kahne me aur karne me zameen asmaan ka fark hota hai. Jab insaan saamne hota hai to aisi situation me usse apne dil ki baat kahne me badi himmat jutaani padti hai. Jabki usme to is wakt itni bhi himmat nahi ho rahi thi ki wo kamre se nikal kar niche jaye aur dushyant ka saamna kare. Kuch der sochte rahne ke baad aakhir usne himmat ki aur gahri saans le kar bed se niche utar kar kamre se baahar ki taraf chal padi.

"Sara din kaha the aap.?" Niche pahuchte hi pratiksha ne apne dono haath apni kamar par rakh kar dushyant se shikayati lahje me pucha_____"Kya har roz aisa hi karte hain aap.? Agar yahi karte hain to bahut galat karte hain aap. Jaaiye mujhe aapse baat nahi karna ab....haan nahi to."

"Main bahut zaruri kaam me byast tha gudiya." Dushyant ne sofe par baithte huye kaha______"Tujhe to pata hai ki main ek police wala hu aur mujhe duty par jana hota hai. Waise bhi aaj kal jis case par main involve hu usme bahut sir khafana padta hai. Khair ye sab chhod aur apne hath ki garma garam chaay to pila de. Dekh na kitna waqt ho gaya maine apne gudiya ke haath ki chaay nahi pi."

"Chaay to main aapko pila dugi." Pratiksha ne halki muskaan ke sath kaha______"Lekin ek shart par. Boliye shart manjur hai warna main nahi pilane wali. Haan nahi to."
"Achha thik hai." Dushyant ne kaha_____"Bata kya shart hai teri.?"

"Shart ye hai ki kal aap apni dost vidhi ji ko apne sath kisi bahut hi khubsurat jagah par ghumane le jayege." Pratiksha ne maano ek hi saans me kaha_______"Aur ye meri shart hi nahi balki aapke liye mera hukum bhi hai. Ab agar aapne mera ye hukum nahi mana to soch lijiye fir...haan nahi to."

"Ye kaisi shart aur kaisa hukum hai tera.?" Dushyant ekdam se pareshaan nazar aane laga______"Tujhe pata bhi hai ki tu kya kah rahi hai.?'
"Haan ji achhi tarah pata hai." Pratiksha ne do took lahje me kaha______"Aur main ye bhi samajhti hu ki aapko isme koi problem nahi honi chahiye. To ab ye faisla ho chuka hai ki kal aap apne sare kaam chhod kar bhabhi ji ko....mera matlab hai ki vidhi ji ko apne sath kahi ghumane le jayege. Wow kitna achha lagega na bhaiya...jab aap dono ek sath kisi khubsurat jagah par ghoom rahe hoge. Kaash ki main bhi aapke sath chalti to bahut maza aata...haan nahi to."

"Tere dimaag me ye sab fizool ki baate aati kaha se hain gudiya.?" Dushyant ne kaha______"Maine tujhe samjhaya tha na ki....!" Dushyant bolte bolte ekdam se ruk gaya. Kyo ki tabhi uski nazar seedhiyo se utar rahi vidhi par pad gayi thi. Dushyant ko is tarah se apni baat ko adhura chhod kar chup hota dekh pratiksha ne uski nazro ka pichha kiya. Vidhi par nazar padte hi uske gulaabi hotho par muskaan ubhar aayi.

"Achha hua aap bhi yaha aa gayi." Pratiksha ne muskurate huye kaha______"Maine bhaiya se baat kar li hai to aap kal subah jaldi hi ready ho jaaiyega."
"Aree par kis liye.?" Vidhi ne ghabrate huye pucha. Use laga kahi pratiksha ne dushyant ko ye to nahi bata diya ki wo bhi usse prem karti hai.

"Kis liye ka kya matlab hai.?" Pratiksha ne kaha______"Aapko bhaiya ke sath kal picnic par jana hai. Meri abhi yahi baat ho rahi thi bhaiya se. Achha ab aap yahi baithiye. Main aap dono ke liye special wali chaay bana ke laati hu."

Pratiksha, vidhi ko hairaan pareshaan kar ke kitchen ki taraf tezi se badh gayi. Idhar dushyant ko aisa lag raha tha jaise ki wo apna sir kisi patthar par de maare. Udhar vidhi ko bhi samajh nahi aa raha tha ki dushyant ke sath kal picnic par jane ka kya matlab hai.? Tabhi sahsa uske dimaag ki batti jali aur fir use samajhte der na lagi ki ye picnic par jane ka plan pratiksha ne banaya hai, taaki wo dushyant ke sath jaye aur fir wo waha akele me dushyant se apne dil ki baat kah sake. Pratiksha ke is plan par vidhi ko man hi man hasi aayi aur usne man hi man use thanks bhi kaha.

Vidhi ne dekha ki dushyant sofe par chup chaap kuch sochte huye baitha tha. Use bhi samajh nahi aaya ki wo usse kya bole. Asal me situation ekdam se badal gayi thi. Pyar wale emotions jab se ubhre the tab se dono ke bich ajeeb si khamoshi ne janm le liya tha.

"Aaj dopahar me lunch karne kyo nahi aaye the.?" Vidhi ne dushyant se baat karne ke liye jaise bahana khojte huye kaha_____"Kitna intzaar kiya ham dono ne. Tum to jante ho ki pratiksha ke aane se pahle ham dono sath hi baith kar lunch aur dinner karte the."

"Waqt hamesha ek jaisa nahi rahta." Dushyant ne sapaat lahje me kaha______"Is sabke pahle to main kisi ke bhi sath lunch aur dinner nahi karta tha. Halaaki ye ek tarah se achha hi tha. Akela tha to kisi cheez ki dil me khwaahish to nahi rahti thi."

Isse pahle ki vidhi kuch kahti dushyant sofe se uth kar bathroom ki taraf chala gaya. Uska is tarah se chale jana vidhi ke dil par jaise chot kar gaya. Wo achhi tarah jaanti thi ki dushyant kyo uth kar chala gaya tha. Shayad ab wo uske paas rukna nahi chahta tha. Kitchen ke darwaze ke pichhe chhup kar khadi pratiksha ne bhi apne bhai ko sofe se uth kar jaate dekha tha. Usne bhi apne bhai ka jawaab suna tha aur use bhi samajh aa gaya tha ki is wakt do dil jal rahe hain. Uske man me sawaal ubhra ki kya uska bhai kal vidhi ko le kar jayega ya fir kaam ka bahana bana kar aaj ki tarah subah hi nikal jayega.

Bathroom me fresh hone ke baad dushyant avinash ke kamre me chala gaya. Avinash ke kamre me ja kar usne kuch der avinash se uska haal chaal pucha uske baad wo apne kamre me chala gaya. Udhar dushyamt ke jane ke baad vidhi kuch der tak sofe par baithi rahi fir wo uthi aur apne andar machal rahe jazbaato ko kaabu karte huye kitchen ki taraf badh gayi.

Kitchen me jab vidhi pahuchi to pratiskha ne usse zyada kuch nahi kaha bas yahi kaha ki kal sab thik ho jayega. Khair pratiskha ne chaay banaayi aur khud hi tray me le kar dushyant ke kamre ki taraf chal di. Pratiksha ko maahaul ki nazaaqat ka bakhubi ahsaas tha is liye usne is waqt apne bhaiya se sharaarat karne ka zara bhi nahi socha. Kamre me pahuch kar usne dushyant ko chaay di aur uske paas hi bed ke kinaare par baith gayi.

"Kya hua gudiya.?" Pratiksha ko chup chaap baithte dekh dushyant ne kaha______"Tujhe chaay nahi pina kya.? Apne liye chaay nahi laayi tu.?"
"Wo maine socha ki pahle aapko de aau." Pratiksha ne nape tule lahje se kaha______"Uske baad main aur vidhi ji sath me piyenge. Waise maine to socha tha ki ham sab hi sath me baith kar chaay piyenge lekin aap to waha se yaha chale aaye."

"Haan wo aaj kaam ki vajah se zyada thak gaya hu." Dushyant ne kaha______"Is liye baithne ka man nahi tha balki kuch der araam karna chaahta tha."
"Thik hai fir aap araam kijiye." Pratiksha ne bed se uthte huye kaha______"Jab dinner ready ho jayega to main aapko bulane aa jaaugi."

Pratiksha ke aisa kahne par dushyant ne haan me sir hila diya aur fir wo chup chaap chaay pine laga. Pratiksha kuch sochte huye darwaze ki taraf badhi fir darwaze ke paas pahuchte hi wo ruki aur fir palat kar dushyant ki taraf dekhte huye boli______"Bhaiya ek baat kahu aapse.?"

"Aaan..haan bol na." Dushyant ne chaunk kar uski taraf dekhte huye kaha_____"Kya kahna hai tujhe.?"
"Kabhi kabhi jo dikhta hai zaruri nahi ki wahi sach ho." Pratiksha ne ajeeb bhaav se kaha_____"Aur kabhi kabhi aisa bhi hota hai ki jo ham samajhte hain waisa bhi asal me hota nahi hai."

"Kya kahna chaahti hai.?" Dushyant ne na-samajhne wale andaaz se kaha.
"Kuch nahi bhaiya." Pratiksha ne kaha______"Lekin ummid karti hu ki jo maine abhi kaha hai us bare me aap gahraayi se zarur sochenge aur haan....kal vidhi ji ko le kar aap picnic par zarur jayenge. Agar aapne koi bahana banaya to fir soch lijiyega. Kabhi baat nahi karugi aapse...haan nahi to."

Pratiksha itna kahne ke baad ek pal ke liye bhi nahi ruki balki palat kar tezi se darwaze ke baahar nikal gayi thi. Idhar uski baate sun kar dushyant gahri soch aur duvidha me pad gaya tha. Use samajh nahi aaya ki uski bahan use vidhi ke sath picnic par jane ke liye itna zor kyo de rahi thi, jabki maujuda situation aisi thi hi nahi ki wo kahi picnic par ja sake. Avinash ka maamla use iske liye ijazat de hi nahi sakta tha. Pratiksha ne use badi mushkil me daal diya tha.

Chaay pine ke baad dushyant apni bahan ki baato ke bare me sochne laga. Uske kaano me fir se uske dwara kaha gaya waakya goonj utha______'Kabhi kabhi jo dikhta hai zaruri nahi ki wahi sach ho, aur kabhi kabhi aisa bhi hota hai ki jo ham samajhte hain waisa bhi asal me hota nahi hai.'

Dushyant ke kaano me uski bahan ka ye waakya goonj raha tha. Uske zahen me sawaal ubhra ki aakhir pratiksha aisa bol kar kya samjhana chaahti thi use.? Kahi aisa to nahi ki use is baat ka pata chal gaya ho ki wo vidhi se prem karta hai aur vidhi uske prem ko swikaar nahi ki hai. Kya vidhi ne use is bare me bataya hoga...lekin vidhi usse is sambandh me baat kyo karegi.? Kahi aisa to nahi ki vidhi ne use ye bata diya ho ki wo usse kyo kat raha hai...magar ye to abhi ki baat hai. Pratiksha kya samjhana chaahti thi use. Jo dikhta hai wahi sach ho zaruri nahi aur jo ham samajhte hain asal me waisa bhi nahi hota hai. Kya wo aisa mere aur vidhi ke bare me kah rahi thi.?

Dushyant buri tarah ulajh kar rah gaya tha. Police department ke ek kaabil police officer ka dimaag maano kund sa pad gaya tha. Yaha par Mirza Ghalib ka ek sher us par bilkul fit baithta hai ki______"Ishq ne hame nikamma kar diya ghalib...Warna aadmi ham bhi the bade kaam ke."
 
Bᴇ Cᴏɴғɪᴅᴇɴᴛ...☜ 😎
1,621
5,929
143
BEGUNAAH
Update - 28
____________________________


Ab Tak,,,,,

Dushyant ke kaano me uski bahan ka ye waakya goonj raha tha. Uske zahen me sawaal ubhra ki aakhir pratiksha aisa bol kar kya samjhana chaahti thi use.? Kahi aisa to nahi ki use is baat ka pata chal gaya ho ki wo vidhi se prem karta hai aur vidhi uske prem ko swikaar nahi ki hai. Kya vidhi ne use is bare me bataya hoga...lekin vidhi usse is sambandh me baat kyo karegi.? Kahi aisa to nahi ki vidhi ne use ye bata diya ho ki wo usse kyo kat raha hai...magar ye to abhi ki baat hai. Pratiksha kya samjhana chaahti thi use. Jo dikhta hai wahi sach ho zaruri nahi aur jo ham samajhte hain asal me waisa bhi nahi hota hai. Kya wo aisa mere aur vidhi ke bare me kah rahi thi.?


Dushyant buri tarah ulajh kar rah gaya tha. Police department ke ek kaabil police officer ka dimaag maano kund sa pad gaya tha. Yaha par Mirza Ghalib ka ek sher us par bilkul fit baithta hai ki______"Ishq ne hame nikamma kar diya ghalib...Warna aadmi ham bhi the bade kaam ke."

Ab Aage,,,,,,

Raat ka waqt tha.
Har taraf syaah andhkaar faila hua tha. Charo taraf byaapt khamoshi me sirf jhinguro ki awaaze hi sunaayi de rahi thi. Gali ke mod par ek bada sa pedh tha, jiske pichhe ek insaani saya jaise khud ko chhupaye huye khada tha. Chehre par pareshani ke bhaav ke sath sath tanaav ke bhaav bhi gardish kar rahe the.

"Aaj kuch zyada hi andhera hai shayad." Pedh ke pichhe chhupe us saye ne dhimi awaaz me jaise khud se hi kaha______"Kaash mera mobile phone gum na hua hota to aaj usi se roshni kar ke araam se uske ghar tak pahuch jata....par koi baat nahi. Andhera hai to kya hua. Ab jab yaha tak aa hi gaya hu to uske ghar tak bhi kisi tarah pahuch hi jaauga."

Pedh ke pichhe chhupe us saye ne idhar udhar dekha aur fir pedh ke pichhe se nikal kar kachchi sadak par aa gaya. Aas paas andhere me kuch dikh nahi raha tha. Halaaki kuch hi doori par insaani abaadi thi. Use bas is baat ka dar tha ki is andhere me koi saamne se chalta hua usse takra na jaye. Waise bhi aaj kal choro aur badmasho ka bada khatra tha.

Light gayi huyi thi jiski vajah se use aas paas kahi par bhi koi bulb roshan hua dikh nahi raha tha. Raat ke is wakt gharo me rahne wale log kha pi kar aur batti bujha kar so jate the. Khair wo sadak par andaze se chalne laga. Kismat kuch zyada hi kharab thi uski kyo ki ghar me jo moter cycle thi wo aaj hi kharab ho gayi thi warna use itni pareshani na uthani padti.

Paanch minute ka safar kareeb das minute me pura hua aur aakhir wo apne mukaam tak pahuch hi gaya. Saamne andhere me duba ek makaan tha jiske kareeb wo khada tha. Us makaan se lage huye aur bhi kayi saare makaan the jo andhere me hi dube huye the. Saye ne kuch der khade rah kar apni saanso ko durust kiya aur fir makaan ki taraf badi saawdhani se badh chala. Chaar fit uchi baundary ke paas pahuch kar wo ruka. Do kadam ki doori par hi lohe ka gate tha aur use pura yakeen tha ki is wakt usme andar se tala laga hua hoga. Fir bhi usne aage badh kar ek baar check kiya. Jaisa ki use yakeen tha...yaani sach me gate par tala laga hua tha.

Use dar tha ki kahi light na aa jaye jiski vajah se koi use yaha par dekh le. Halaaki aaj kal raat me light aksar gul hi rahti thi. Log kheto me tube bell chala kar sichaayi karte the. Bijli vibhaag wale bade sayaane the. Aksar raat me bijli cut kar dete the. Usne ek nazar idhar udhar daali aur baundary par apne dono haath jamate huye uchhal kar baundary par chadh gaya. Kuch hi palo me wo baundary se us paar kood gaya. Zameen par dhapp se awaaz huyi to usne kuch pal ruk kar idhar udhar dekha uske baad makaan ki diwaar ki taraf badh gaya. Jaldi hi wo diwaar ke kareeb pahuch gaya. Diwaar se upar kuch hi doori par khidki thi. Halaaki andhere me zyada dikh nahi raha tha magar safed diwaar ke bich dhundhli si khidki ka abhaas zarur ho raha tha.

Makaan do manjil ka tha. Saye ne kuch der khidki ki taraf dekha aur fir makaan ke piche ki taraf badh gaya. Kuch hi der me jab wo aaya to uske hath me lakdi ki bani badi si seedhi thi. Idhar udhar dekhte huye usne badi saawdhani se us seedhi ko diwaar par lagaya aur fir us par chadhta chala gaya. Kuch hi palo me wo khidki ke paas pahuch gaya. Is wakt uska dil joro se dhadak raha tha. Khidki ke kareeb pahuch kar usne halke hatho se khidki par lagi jaali ke us paar lakdi ke band pallo par knock kiya. Jaldi hi khidki ka ek palla khula aur andhere me ek saya nazar aaya.

"Hey bhagwan! maine tumhe mana kiya tha na jai ki raat me mat aana." Khidki par nazar aaye saye ne chaunkte huye kaha tha. Uski awaaz se pata chala ki wo saya kisi ladki ya aurat ka tha.
"Kya karu tumhari yaad hi itna aa rahi thi ki yaha aane se khud ko rok nahi saka." Seedhi ke paye par khade saye ne dhimi awaaz me kaha______"Dekh lo raat ke is wakt main paidal yaha tak aaya hu. Tum mere dil ki betaabi ko achhi tarah samajh sakti ho. Achha suno...kamre me thoda ujala karo na. Mujhe apni saundarya ka sundar ka mukhda dekhna hai."

"Tum sach me paagal ho jai." Saundarya ne dhimi awaaz me kaha______"Sirf mera chehra dekhne ke liye tum apne gaon se yaha mere gaon tak paidal chal kar aaye ho...wo bhi itni andheri raat me. Abhi parso hi to mile the ham. Waise bhi ham dono ka milan jaldi hi hoga. Pure das din rah gaye hain hamari shadi ko. Uske baad to main tumhare paas hi rahugi. Fir dekhte rahna mera chehra."

"Ye das din kaise guzrenge saundarya.?" Jai ne maano aahe bharte huye kaha______"Mera to ek ek pal jaise shadiyo me tabdeel ho gaya hai."
"Mera bhi wahi haal hai babu." Saundarya ne kaha______"Mera bhi dil karta hai ki ye das din ek hi pal me guzar jaye aur fir main us ek hi pal me tumhare paas aa jaau."

"Kya aisa nahi ho sakta." Jai ne adheerta se kaha_____"Ki tum niche ka darwaza khol do taaki main tumhare kamre me aa jaau. Aaj ki raat ham dono ek sath rahege kamre me."
"Chaahti to main bhi yahi hu babu." Saundarya ne kaha____"Par ye sambhav nahi hai. Pita ji ko pata chal gaya to bahut bada hangama ho jayega aur main to sharm se hi mar jaaugi. Is liye hame kisi tarah ye das din guzarne hi hoge."

"Apna chehra hi dikha do mujhe." Jai ne mayoos ho ke kaha_____"Tumhara chehra dekh luga to mere dil ko thoda karaar aa jayega aur main khushi khushi yaha se ja bhi sakuga."
"Achha thik hai ruko." Saundarya ne kaha aur fir uska saya khidki se hat kar andar ki taraf chala gaya.

Thodi hi der me saundarya khidki ke kareeb aayi. Uske hath me ek laalten thi. Usne laalten wale hath ko upar kiya to laalten ki roshni me saundarya ka sundar sa chehra chamakne laga. Khidki ke is paar seedhi ke paye par khada jai uske chamakte chehre ko dekhne laga. Uske mayoos ho gaye chehre par wapas chamak aa gayi thi.

"Dekh liya na babu." Saundarya ne laalten ko niche karte huye kaha_____"Ab main laalten bujha rahi hu. Kahi aisa na ho ki saamne wale makaan se koi dekh le is taraf. Waise bhi raat bahut ho gayi hai...aur haan meri tumse ek vinti bhi hai aur wo ye ki itni raat ko ghar se baahar kahi bhi mat aaya jaya karo. Aaj kal halaat thik nahi hain. Ek to choro madmasho ka khatra aur dusra tumhare us bhai vijay ka."

"Kya fir se usne tumhe kuch kaha.?" Jai ne kathorta se kaha______"Us neech ko zara bhi sharam nahi aati hai ki wo apni hone wali bhabhi ko aisi nazar se na dekhe."
"Uski vajah se tum khud ko na jalaao jai." Saundarya ne sanjidgi se kaha______"Jab hamari shadi ho jayegi to shayad use samajh me aa jaye ki ab waisa nahi ho sakta jiske wo sapne dekhta hai."

"Tum use nahi jaanti saundarya." Jai ne hataash bhaav se kaha______"Wo hamare ghar ka kalank hai. Use rishto ki koi parwaah nahi hai. Use to bas ek hi cheez nazar aati hai....aurat aur uska jism. Main uska bada bhai hu iske bavjud main use badal nahi sakta aur na hi us par mera koi zor chal sakta hai. Wo ek bigda hua saand hai...jiske aage piche na jane kitne hi uske jaise uski chaakri me ghumte rahte hain. Isi liye to maine faisla kiya hai ki hamari shadi hote hi ham kahi door chale jayege."

"Shayad aisa karne ki naubat na aaye jai." Saundarya ne kaha______"Mujhe yakeen hai ki jab main uski bhabhi ban kar ghar aa jaaugi to wo mera khayaal apne dil se nikaal dega. Ham dono use samjhayege jai aur mujhe pura bharosa hai ki wo hamari baate samjhega. Khair chhodo in baato ko aur ab tum jaao yaha se. Bas das din ki hi to baat hai mere sona babu. Apne jazbaato ko kaabu me rakho kuch din aur itni raato me mat aaya karo. Mujhe chinta rahti hai tumhari."

"Saundarya..." Tabhi kamre ke kisi bhaag se ek mardana awaaz aayi______"Ye tum itni raat ko kisse baate kar rahi ho.?"
"Mar gaye." Saundarya buri tarah hadbada gayi. Hadbadaya jai bhi tha aur fir ek dam se do cheeze ek sath huyi. Udhar kamre ke darwaze ko zor se bhadbhadaya gaya aur idhar hadbadahat me jai ka pair seedhi ke paye se fisal gaya. Sab kuch itna jaldi hua ki jai khud ko samhaal na paya aur wo seedhi se fisal kar seedha niche kachchi zameen par dhadaam se gira.

"Jaiiiiiiiiiii...!!!" Bed par leti saundarya cheekhte huye hadbada kar uth baithi. Uski is cheekh se uske bagal me soya pada jai bhi uchhal pada tha.
"Kya hua.??" Hakbakaye se jai ne ajeeb bhaav se pucha.
"Ohhh jai...mere babu...mere sona." Saundarya ne jai ko dekha to jhapat kar usse lipat gayi.

"Kya hua.?" Jai ne bhi use khud se chhupkate huye pucha_____"Koi bura sapna dekha kya tumne.?"
"Achha hua ki wo bas sapna hi tha jai." Saundarya ne jai ke sir ke baalo me apni ungaliyo ko fasate huye kaha_____"Warna main to buri tarah dar gayi thi."

"Aisa kya dekh liya tha sapne me.?" Jai ne saundarya ko khud se alag karte huye pucha_____"Jiski vajah se tum itna zor se cheekh kar uth baithi thi."
"Wo main sapne me ham dono ko hi dekh rahi thi." Saundarya ne kaha______"Lekin jai sapne to sapne hi hote hain na.? Unka haqiqat se koi waasta nahi hota na.?"

"Haan bilkul." Jai ne na-samajhne wale bhaav se kaha_____"Par tum ye kyo puch rahi ho.? Aakhir sapne me tumne ham dono ko aisa kya karte huye dekha jiski vajah se tum is tarah cheekh kar uth baithi thi.?"
"Batati hu babu." Saundarya ne kaha______"Par badi ajeeb baat hai. Main jo sapna dekh rahi thi waisa to haqiqat me pahle hi ho chuka hai lekin aisa kaise ho sakta hai jai.?"

"Aree lekin tumne dekha kya hai sapne me.?" Jai ne ajeeb bhaav se pucha______"Aur to aur tum kis baat ke ho chuke hone ki baat kar rahi ho jo abhi sapne me bhi tumne dekha.?"
"Tumhe yaad hai jai.?" Saundarya ne kaha_____"Jab hamari shadi ke das din bache the tab tum aadhi raat ko apne gaon se paidal hi mujhse milne mere gaon me mere ghar aaye the.?"

"Ye tum kya kah rahi ho.?" Jai ne apne dimaag par zor daala aur fir aise bola jaise use ekdam se yaad aa gaya ho_____"Ohh haan yaad aaya. To kya tum usi ka sapna dekh rahi thi.?"
"Haan jai." Saundarya ne kaha_____"Main wahi sab abhi sapne me dekh rahi thi."

"Lekin sapne me tumne aisa kya dekh liya ki tum itni zoro se cheekh kar uth baithi.?" Jai ne uljhan bhare bhaav se pucha.
"Maine dekha ki tum seedhi par chadhe the." Saundarya ne maano yaad karte huye batana shuru kiya_____"Aur main apne kamre ki khidki par khadi tumse baate kar rahi thi."

"Ohh haan fir.???" Jai ne kaha_____"Fir uske baad.??"
"Ham dono baate kar rahe the." Saundarya ne badi adheerta se kaha_____"Main tumhe samjha rahi thi ki tumhe raat ke us wakt nahi aana chahiye tha lekin tum utni raat me sirf is liye aaye the kyo ki tum mera chehra dekhna chahte the. Khair uske baad achanak hi mere kamre ke darwaze ke baahar se pita ji ne mujhe pukarte huye kaha ki main itni raat me kisse baate kar rahi hu.? Pita ji ki awaaz sun kar ham dono hi hadbada gaye the aur isi hadbadahat me tum seedhi se fisal kar niche gir gaye the. Sapne me jab maine tumhe seedhi se fisal kar niche girte dekha to main tumhara naam le kar zor se cheekh uthi aur fir meri neend khul gayi."

"Ohhh to is vajah se tum is tarah cheekh kar uth baithi thi." Jai ko jaise saari baat samajh me aa gayi, bola_____"Main to dar hi gaya tha tumhari aisi cheekh sun kar."
"Lekin jai." Saundarya ne sochne wale bhaav se kaha_____"Ye vichitra baat hai na.? Mera matlab ki jo hamare sath haqiqat me ho chuka hai usi ka sapna kaise aa sakta hai.?"

"Ab is bare me bhala main kya kahu.?" Jai ne kaha_____"Ye to ishwar ki maya hai. Wo jis tarah chahe dikha de hame. Khair chhodo ye sab aur ab chalo so jaao. Bahut raat ho gayi hai."
"Waise us raat ke baad fir tum mujhse milne nahi aaye the." Saundarya ne kaha_____"Is vajah se main bhi tumse ye nahi puch paayi thi ki us raat tumhe zyada chot to nahi lagi thi na.? Main to saari raat isi chinta me nahi so paayi thi ki itne upar se girne par tumhe chot lag gayi hogi aur tum ghayal awastha me kaise apne gaon ghar tak gaye hoge. Tumse meri mulaqaat fir shadi ke baad suhaagraat me hi huyi thi."

"Chot to lagni hi thi." Jai ne wapas bed par lette huye kaha_____"Aakhir itni uchaayi se jo gira tha. Uske baad bas kisi tarah laut hi aaya tha ghar."
"Pita ji kamre ka darwaza khatkhata rahe the." Saundarya ne kaha______"Is liye mujhe darwaza kholna pada tha. Shukar tha ki darwaza kholne se pahle maine khidki ko jhat se band kar diya tha warna wo jaan jate ki main kisi se to baat kar hi rahi thi. Pita ji ne kamre me aa kar charo taraf dekha. Maine unse yahi kaha ki main apne aapse hi baate kar rahi thi kyo ki mujhe laalten jalane ke liye machis nahi mil rahi thi. Meri baate sun kar pita ji jab kamre se chale gaye to maine darwaza band kiya aur fir jaldi se khidki khol kar tumhe dekhne ki koshish ki magar baahar andhera tha to kuch dikha nahi tha mujhe. Halaaki dhimi awaaz me maine tumhe awaaz bhi di thi."

"Mujhe tumhari awaaz nahi sunaayi di thi." Jai ne kaha_____"Zameen par main kuch der dard ko bardaast karte huye pada raha aur fir ye soch kar waha se bhaag nikla ki kahi tumhare pita ji baahar na aa jaye."
"Waise agar wo tumhe us wakt dekh bhi lete to kuch nahi kahte." Saundarya ne kaha_____"Aakhir tum unke hone wale damaad the lekin isse ye zarur hota ki wo yahi sochte ki ham dono kitne besharm aur utaawle hain jo ek dusre se milne ke liye na raat dekhte hain aur na hi din."

"Kitni baar kaha hai ki ye sab baate na socha karo aur na hi bola karo." Jai ne is baar zara kathorta se kaha_____"Kyo ki fir tum ye soch kar dukhi hone lagti ho ki aakhir tumhare mata pita ne vijay ka kya bigada tha jiske liye usne unko jaan se maar dala tha."

"Wo kamina jis din milega." Saundarya ne is baar kisi naagin ki tarah funkaarte huye kaha_____"To uska girehbaan pakad kar usse puchugi ki usne mere mata pita ko kis vajah se jaan se maar dala tha.? Aakhir unhone uske sath kya bura kiya tha.?"
"Bas ab chup ho jaao." Saundarya ko ekdam se subakte dekh jai ne use kheech kar apne se chhupka liya, bola_____"Use har cheez ka hisaab dena padega. Bas kuch waqt aur intzaar kar lo."

Jai ke samjhane ke baad saundarya kuch der me chup ho gayi aur fir jai se chhupke chhupke hi so gayi. Use apne se chhupkaye jai uski baato ke bare me sochta raha. Uske chehre par is waqt patthar jaisi kathorta chha gayi thi. Aankho me angare se naachte nazar aane lage the.

<>•<>•<>

Subah dushyant ki aankh uski natkhat bahan ke jagane par khuli. Pratiksha bada hi khush nazar aa rahi thi aur uska chehra kisi taaze khile gulaab ki maanind khila hua tha. Apni bahan ko khush dekh kar dushyant ke hotho par muskaan ubhar aayi. Wo uth kar baitha aur fir apni bahan ke chehre ko apni hatheliyo me le kar uske maathe par pyar se choom liya.

"Good morning meri gudiya." Fir usne muskurate huye kaha.
"Ye sab chhodiye aur chaay pi kar jaldi se fresh ho jaiye." Pratiksha ne tray ko dushyant ki taraf badhate huye kaha_____"Aapko yaad hai na ki aaj aapko apni dost vidhi ji ke sath picnic par jana hai aur haan koi bhi bahana nahi chalega. Agar aapne iske liye koi bahana banaya to soch lijiyega fir. Aapki ye gudiya kabhi aapse baat nahi karegi...haan nahi to."

"Mujhe ye samajh me nahi aa raha gudiya ki tu aisa kyo chaahti hai ki main vidhi ko le kar picnic par jaau.?" Dushyant ne sahsa pareshan ho kar kaha_____"Hamare bich aisa kuch bhi nahi hai jiske bare me tu soch rahi hai...ham sirf dost hain. Maine tujhe samjhaya tha na gudiya.? Iske bavjud tu wahi kar rahi hai. Aakhir tu samajhti kyo nahi meri bahna.?"

"Samajhne ki zarurat to aapko hai bhaiya." Pratiksha ne is baar sanjidgi se kaha______"Maine kal aapse kaha tha na ki kabhi kabhi ham jo samajhte hain asal me waisa hota nahi hai. Main janti hu ki aaj kal aap kis case me uljhe huye hain magar main ye bhi janti hu ki aaj kal aapka man sahi tarah se kuch soch nahi pata hai. Main aapse chhoti hu is liye main aapko samjhane laayak nahi hu magar haan itna zarur kah rahi hu ki agar aap vidhi ji ke sath picnic par jayenge to aapko kisi baat se niraash nahi hona padega."

"Achha thik hai gudiya." Dushyant ne jaise haar maante huye kaha______"Magar ye bata ki kya vidhi picnic par mere sath jayegi.?"
"Bilkul jaayengi wo." Pratiksha ne khushi se chahakte huye kaha_____"Aapko kya lagta hai maine kachchi gotiya kheli hain.?"

"Kachchi gotiya.???" Dushyant ne chaunkte hue kaha_____"Ye kya kah hai tu.?"
"Mera matlab hai." Pratiksha ne baat ko samhaalte huye kaha_____"Mera matlab hai ki vidhi ji bhi aapke sath jane ko taiyar hain aur wo is waqt jane ke liye ready bhi ho rahi hain. Bas aap hi abhi tak taiyar nahi huye."

"Badi ajeeb baat hai." Dushyant ne sochne wale bhaav se kaha_____"Vidhi bhi picnic par jane ko taiyar hai. Aakhir wo iske liye maan kaise gayi.?"
"Ab aap zyada dimaag na lagaiye." Pratiksha ne kaha_____"Uthiye aur ja kar jaldi se fresh ho lijiye. Aapke paas sirf das minute ka time hai. Uske baad aap taiyar ho kar niche aa jaiyega."

"Sirf das minute.???" Dushyant ne aankhe faila kar kaha_____"Das minute me bhala main kaise ready ho kar aa paauga gudiya.?"
"Okk pandrah minute." Pratiksha ne kaha_____"Isse zyada ke bare me aap sochiyega bhi mat. Ab ja rahi hu main. Pandrah se solah nahi hona chahiye warna fir soch lijiyega...haan nahi to."

Pratiksha dushyant ka cup le kar kamre se chali gayi jabki dushyant hairan pareshan kuch palo tak bed par hi baitha raha. Uske baad jaise hi use time ka khayaal aaya to wo jaldi se uth kar bathroom me ghus gaya. Bathroom me bhi wo yahi soch raha tha ki aakhir is picnic par jane ka kya matlab hai aur to aur vidhi bhi uske sath jane ko taiyar hai jo ki bahut hi chaunkane wali baat hai. Khair wo puri taiyar ho kar niche aa gaya.

"Do minute zyada laga diya aapne." Khane ki table ke paas jaise hi dushyant pahucha to pratiksha ne kaha______"Khair is wakt to kuch nahi kahugi aapko magar aage se dhyaan rakhiyega..haan nahi to."

"Sorry gudiya." Dushyant ne kaha______"Maine apni taraf se puri koshish ki thi magar pandrah minute me ready ho kar nahi aa paya."
"Aap dono ek jaise hi hain." Pratiksha ne ek nazar vidhi par daalte huye kaha_____"Inhe bhi maine bola tha ki bees minute me ready ho jaaiyega magar pata hai pura dedh ghanta laga diya inhone taiyar hone me. Ye bhi koi baat hui bhala...haan nahi to."

"Us hisaab se to main jaldi hi taiyar ho ke aa gaya hu na gudiya." Dushyant ne kaha_____"Ladkiyo ko to chaar din lag jate hain taiyar hone me. Pata nahi kya karti rahti hain.?"
"Ye zyada hi ho gaya bhaiya." Pratiksha ne kaha______"Aap ham ladkiyo ki insult kar rahe hain. Mat bhuliye ki ham ladkiya khubsurti ka paryawachi hoti hain.

"Ohh aisa kya." Dushyant ne halki muskan ke sath kaha_____"Maine to ye baat aaj pahli baar hi jani hai."
"Tumhe pata hai pratiksha." Vidhi ne pratiksha ki taraf dekhte huye kaha______"Ladko ke paas dhele bhar ka bhi sense nahi hota hai aur wo samajhte hain ki jems bond wahi hain."

Vidhi ki is baat se dushyant ekdam se chup ho gaya. Wo samajh chuka tha ki vidhi ne usi ke liye kaha tha aur is baat se pata nahi kyo use gussa aa gaya tha. Ye alag baat hai ki usne apne gusse ko fauran hi daba diya tha. Udhar vidhi ki baat sun kar pratiksha pahle to zor zor se hasne lagi thi fir jaise hi use samajh aaya ki vidhi ne wo sab kah kar uske bhaiya ko sunaya hai to usne jaldi se apni hasi rok li.

"Par mere bhaiya ke paas sense ki koi kami nahi hai." Fir usne jaise garv se kaha_____"Aapko bhi ye baat jaldi hi samajh me aa jayegi...haan nahi to."
"Chhodo is baat ko." Vidhi ne ye soch kar kaha ki kahi in baato se baat badh na jaye jisse dushyant naraz ho jaye, boli_____"Ab fatafat breakfast shuru karo."

"Haye haye lagta hai ki." Pratiksha ne muskurate huye kaha_____"Bhaiya ke sath picnic par jane ki badi jaldi hai aapko."
"Haan kyo nahi." Vidhi ne kaha_____"Yaha se jaldi jayege to time se ghar bhi to waapas aa jayege. Main ye kaise bhool sakti hu ki tum yaha akeli rahogi tab tak. Is liye ham jaldi hi waapas laut aayenge."

"Meri chinta mat kijiye." Pratiksha ne kaha______"Main yaha akele nahi darugi. Waise bhi yaha baahar itni zyada security lagi hai to fir darne jaisi baat hi nahi hogi."
"Tu kyo nahi ja rahi sath me.?" Dushyant ne pratiksha se pucha______"Mujhe laga tu bhi ja rahi hai sath me."
"Main aap dono ke sath next time chalugi bhaiya." Pratiksha ne kaha______"Is baar sirf aap dono hi jaaiye aur haan picnic ka khoob enjoy karna. Waha par photo bhi lena aur fir mujhe dikhana."

Baato hi baato me breakfast ho gaya aur fir kuch hi der me dushyant aur vidhi ghar se baahar ki taraf chal pade. Pratiksha ne ek bag bhi de diya tha dushyant ko jisme kuch zaruri samaan tha. Dushyant baahar jane se pahle avinash ke kamre me gaya aur use samjha bujha kar waapas aa gaya tha.

Ghar se baahar aa kar dushyant ne security officer ko bataya ki wo ek zaruri kaam se baahar ja raha hai is liye ghar ki aur ghar ke andar maujud uski bahan aur vinash dono ki suraksha ki jimmedari ab uski hai. Security officer ne dushyant ko kaha ki wo iski fikar na kare. Dushyant gate ke paas khadi apni bahan ko dekh kar uske paas gaya aur uske chehre ko pakad kar uske maathe par halke se choom liya, fir bola apna khayaal rakhna gudiya. Uske aisa kahne par pratiksha bas muskura kar rah gayi.

Vidhi ne dushyant ko apni car ki chaabhi di. Chaabhi le kar dushyant ne garage se car nikaali aur fir vidhi ko baitha kar lohe wale gate se baahar aa gaya. Car gate se baahar nikli to security officer ke kahne par gate ko band kar diya gaya. Udhar mukhya sadak par aate hi dushyant ne car ki speed badha di. Car ke andar khamoshi thi. Vidhi dushyant ke bagal se hi baithi huyi thi magar wo kuch bol nahi rahi thi. Ya shayad soch rahi thi ki wo dushyant se kis silsile me baate kare. Udhar dushyant bhi khamoshi se car chala raha tha. Wo bhi shayad yahi soch raha tha ki vidhi se wo kya baate kare. Use to abhi tak yahi samajh me nahi aaya tha ki uski bahan ne use vidhi ko sath le kar picnic par jane ke liye itna zor kyo diya tha.??
 
Bᴇ Cᴏɴғɪᴅᴇɴᴛ...☜ 😎
1,621
5,929
143
BEGUNAAH
Update - 29
___________________________


Ab Tak,,,,,

Vidhi ne dushyant ko apni car ki chaabhi di. Chaabhi le kar dushyant ne garage se car nikaali aur fir vidhi ko baitha kar lohe wale gate se baahar aa gaya. Car gate se baahar nikli to security officer ke kahne par gate ko band kar diya gaya. Udhar mukhya sadak par aate hi dushyant ne car ki speed badha di. Car ke andar khamoshi thi. Vidhi dushyant ke bagal se hi baithi huyi thi magar wo kuch bol nahi rahi thi. Ya shayad soch rahi thi ki wo dushyant se kis silsile me baate kare. Udhar dushyant bhi khamoshi se car chala raha tha. Wo bhi shayad yahi soch raha tha ki vidhi se wo kya baate kare. Use to abhi tak yahi samajh me nahi aaya tha ki uski bahan ne use vidhi ko sath le kar picnic par jane ke liye itna zor kyo diya tha.??

Ab Aage,,,,,


"Jaldi chal manohar." Ghane jangal me bani pagdandi par chal rahe ek byakti ne palat kar apne pichhe aate manohar naam ke ek aadmi se kaha_____"Kahi aisa na ho ki wo log yaha aa jaye aur hame pakad le."
"Ab ham is ghane jangal me daakhil ho gaye hain dayanand." Dusre aadmi manohar ne apni jagah par ruk kar kaha_____"Is liye ab chinta ki koi baat nahi hai. Pakde jane ka dar tab tak tha jab tak ki ham khule me the."

"Tu kya un logo ko jaanta nahi hai manohar.?" Dayanand ne jaise use yaad dilate huye kaha_____"Wo log har jagah faile huye hain aur har us byakti par baariki se nazar rakhe huye hain jo unse chhup kar police station jane ki sochta bhi ho. Tujhe yaad hai abhi ek hapta pahle kaise un logo ne shankar aur ramdas ko pakad liya tha jab wo dono un logo ki nazro me dhool jhonk kar police station ja rahe the. Uske baad kaise un logo ne shankar aur ramdas ki kutaayi ki thi. Main gaya tha un dono ko dekhne. Saalo ne maarte maarte adhmara kar diya tha unhe. Is liye kahta hu ki jab ham utni door se yaha is ghane jangal tak aa gaye hain to ab hame ye nahi sochna chahiye ki wo hame ab pakad hi nahi sakte."

"Main sab janta hu dayanand." Manohar ne thaki huyi awaaz me kaha_____"Magar ab aur chala nahi ja raha. Pichhle ek ghante se chale ja rahe hain. Pakde jane ke dar se kahi bhi nahi ruke magar ab aur nahi chala ja raha re. Aisa lagta hai jaise pairo me ab jaan hi nahi rah gayi hai. Thodi der susta lene de mujhe. Tu to abhi mujhse thoda jawaan hai is liye tujhe thakaan mahsus nahi ho rahi magar meri to umar ho chali hai ab."

"Isi liye to kah raha tha ki cycle se chalte hain." Manohar ko ek pedh ke niche baithte dekh dayanand uske kareeb jate huye kaha_____"Magar tune hi cycle se chalne ko mana kar diya tha. Tujhe sochna chahiye tha ki shahar hamare gaon se 40km door hai. Bhala itna door paidal chal ke tu kaise ja sakta tha.?"

"Cycle se aane ko to is liye mana kiya tha tujhe ki use kayi jagah moghe me uthana padta." Manohar ne kaha______"Ab itna achha raasta bhi nahi hai is taraf ka. Mukhya sadak se jane me khatra tha is liye itni door ghoom kar aana pada. Khair chhod kuch der araam kar lu fir chalte hain."

"Sach kahu to main bhi chalte chalte thak gaya hu." Dayanand bhi pedh ke niche uske kareeb hi baithte huye kaha_____"Magar dar lagta hai ki kahi se wo log aa na jaye aur fir wo log hamara kya haal karenge iske bare me tum soch bhi nahi sakte."

"Ab jo naseeb me hoga dekha jayega dayanand." Manohar ne kaha_____"Main to bina sustaye yaha se ab hiluga bhi nahi."
"Pata nahi kab tak ham is gulaami me rahege." Dayanand ne kaha______"Kabhi socha nahi tha ki hamare gaon ka wo chhokra itna haraami niklega jiski vajah se ham gaon walo ka jeena mushkil pad jayega."

"Kasoor us chhokre ka bhi nahi hai dayanand." Manohar ne gahri saans lete huye kaha_____"Tujhe bhi pata hai ki wo aisa nahi tha magar jo kuch hua usse wo buri tarah kilash gaya hai. Badle ki aag me jal raha hai wo. Agar wo chahta to apne us nirdayi bhai ko police aur kanoon ke hawale kar deta magar wo police aur kanoon ke hatho nahi balki khud apne hatho se use saza dena chahta hai."

"Jo bhi ho manohar." Dayanand ne kaha______"Par ek baat to sach hai na ki jai bhi apne chhote bhai ke jaisa hi banta ja raha hai. Chalo maan liya ki uske bhai ne bahut galat kiya magar uske bure karmo ki saza use bhagwan ko dene dena tha na. Khud usi ke jaisa ban kar kya haasil ho jayega use.? Jo bhaagya me tha wo hua, us par kisi ka bhi zor nahi tha. Is liye sab kuch bhula kar use apni nayi zindagi ki shuruaat karni chahiye thi magar nahi...usne to wo kiya jo uske zaalim bhai ne bhi nahi kiya tha. Apne badle ke liye usne pure gaon walo ko jaise gaon me hi kaid kar ke rakh diya hai. Koi uski marzi ke bina moot bhi nahi sakta. Tu hi bata manohar ki ab jai me aur uske us nirdayi bhai me kya fark rah gaya.?"

"Ye baat wo thodi na samajhta hai dayanand." Manohar ne gahri saans le kar kaha_____"Us par to bas badla lene ka junoon sawaar hai. Ek wakt tha jab wo bhola tha...masoom tha. Kabhi kisi se anargal baat nahi karta tha. Hamesha maan samman de kar logo se baate karta tha magar aaj ye haal hai ki vijay ki hi tarah log usse darte hain. Vijay ki hi tarah usne gunda mawaaliyo ki fauj bana li hai. Bhagwan jane aage chal kar kya hone wala hai."

"Dono ka baap to ek hi tha na." Dayanand ne kaha_____"Dono ki rango me ek hi baap ka khoon daud raha hai na. Jaisa baap tha waise bete bhi to honge. Halaaki jai ko dekh kar yakeen nahi hota tha ki wo usi baap ki paidaaish hai jiska vijay tha magar dekh lo....waqt ne us khoon ka rang bhi dikha hi diya. Baap ek numbari tha to bete das numbari nikle."

"Chal chhod ye sab baate." Manohar ne uthte huye kaha______"Mujhe lagta hai ki ab hame chalna chahiye yaha se. Kahi aisa na ho ki kahi se uska koi aadmi yaha aa dhamke aur hamari khaal udhed de."
"Sahi kah raha hai tu." Dayanand ne bhi uthte huye kaha_____"Badi mushkil se chhupte chhupate yaha tak pahuche hain. Is liye ab yaha se fauran hi khisak lena chahiye."

Abhi dono uth kar do teen kadam hi aage chale the ki tabhi wo dono buri tarah dar gaye aur fir ghabra kar chaar kadam pichhe hat gaye. Saamne wale pedh ke pichhe se ek aadmi achanak hi jinn ki tarah nikal aaya tha. Use dekh kar manohar aur dayanand ekdam se dar gaye the. Halak sookhta hua prateet hua. Badi mushkil se thook nigal kar gale ko tar kiya dono ne. Maare ghabrahat ke dono ke chehre par palak jhapakte hi paseena ubhar aaya.

"Kya laga tha tum dono ko.?" Us aadmi ne bade hi sard lahje me dono ko ghoorte huye kaha______"Bataao...kya laga tha tum dono ko ki hamari aankho me dhool jhonk kar gaon se nikal jaaoge.?"
"Kaisi badi badi haank rahe the abhi ye dono." Ek dusra aadmi ek dusre pedh ke pichhe se nikalte huye kaha______"Bade hi harishchandra ban rahe the ye. Ji to karta hai ki ye dunaali in dono ke pichhwaade me daal du."

"Pichhwaade me to ab zarur daalenge hariya." Pahle wale aadmi ne kaha______"Magar inke nahi....balki inki bahu betiyo ke pichhwaade me. Tab in dono ki samajh me aayega ki hamari aankho me dhool jhonkne ka anjaam kya hota hai."

"Sahi kaha mangal." Hariya ne kaha______"Ye log hamari narmi ka galat faayda uthate hain. Is liye ab inhe sabak sikhana hi padega."
"Bhagwan ke liye hame maaf kar do." Manohar ne haath jodte huye kaha_____"Ham dono gaon se yaha aaye zarur hain magar ham police thane nahi ja rahe the balki jangal me sookhi lakadiya dekhne aaye the taaki yaha se sookhi lakadiya ghar le ja sake."

"Hamko ekdam se chutiya samajh rakhe ho ka be.?" Hariya ne manohar ko ghoorte huye kaha_____"Sale hamko paath padha rahe ho tum dono.?"
"Nahi nahi." Dayanand jhat se bol pada_____"Ham sach me yaha sookhi lakadiyo ke liye hi aaye the. Police station jane ka to ham soch bhi nahi sakte aur waise bhi police station to shahar me hain...aur shahar yaha se bahut door hai. Utni door bhala ham paidal kaise ja sakte hain.?"

Dayanand ki baat sun kar hariya ko gussa aa gaya aur usne aage badh kar dayanand ko ek laat laga diya jisse dayanand bharbhara kar zameen par gir gaya. Jabki usko ek laat lagane ke baad hariya ne gusse me kaha______"Sale harami ki aulaad sarasar jhooth bolta hai hamse. Ham dono pedh ke pichhe hi chhupe the aur tum dono ki saari baate sun rahe the."

"Galti ho gayi bhai." Dayanand ro dene wali haalat me bola_____"Bhagwan ke liye hame maaf kar do. Ham ab kabhi yaha nahi aayege aur na hi aisi baate karenge."
"Hazaar baar samjhaya tha hamne tum sabko." Mangal ne aage badhte huye kaha_____"Magar tum log sale kutte ki poonchh ho jo kabhi nahi seedha ho sakte. Is himaaqat ki to saza milegi aur zarur milegi."

Dayanand aur manohar gidgidaate hi rah gaye magar mangal aur hariya par koi fark nahi pada. Do do laat dono ko lagaya aur zabardasti pakad kar dono ko jangal se baahar le aaye. Jangal ke baahar jhaadiyo ke paas chhupi huyi unki ek jeep khadi thi. Mangal ne un dono ko zabardasti jeep me baithaya. Hariya ne jeep start ki aur gaon ki taraf kachche raaste me badha diya. Sare raaste manohar aur dayanand un dono se maafiya maagte rahe jiske jawaab me mangal ne dono ko jeep me hi do do thappad lagaya jisse wo dono chup ho gaye.

Das minute baad hi jeep gaon ke chauraahe me aa kar ruki. Gaon me zyadatar kachche makaan bane huye the. Kuch pakke makaan bhi bane huye the. Jaise hi chaurahe par jeep daakhil huyi to mangal aur hariya jaise hi kuch log aur aa gaye waha par, sath hi gaon ke kuch log bhi.

"In dono ko rassi se baandh kar ulta jhula do." Mangal ne apne ek sathi ki taraf dekhte huye kaha_____"Ye dono police staion ja rahe the. Is liye ab inhe iske liye saza milegi. Moorat ko phone kar ke bata do inke bare me."

"Thik hai mangal." Us aadmi ne mangal se kaha aur fir usne apne ek saathi ko ishara kiya aur khud jeb se phone nikaal kar moorat naam ke kisi aadmi ko call lagane laga. Udhar uske ishare par do aadmi aage aaye. Dono ne manohar aur dayanand ko pakad kar ek taraf le gaye. Manohar aur dayanand raham ki bheekh maag rahe the. Is shor ko sun kar kuch log bhi gharo se nikal kar baahar aa gaye. Dekhte hi dekhte manohar aur dayanand ko rassi se baandh kar chauraahe par hi zameen me gade lakdi ke mote khambhe se baandh diya gaya.

Gaon ke log dare sahme se ye sab tamasha dekh rahe the magar kisi me kuch bolne ki himmat nahi thi. Manohar aur dayanand ke pakde jane ki khabar jangal ki aag ki tarah pure gaon me fail gayi. Manohar aur dayanand ke ghar tak jab ye khabar pahuchi to un dono ke ghar wale bhaagte huye chaurahe par aa gaye. Do aurte, do ladke aur do ladkiya thi jo manohar aur dayanand ko is tarah rassi se bandha dekh buri tarah rone lagi thi aur raham ki guhaar lagane lagi thi.

"Ab kisi ke sath koi raham nahi kiya jayega." Hariya ne gaon walo ki taraf dekhte huye tez awaaz me kaha_____"Hamne tum sabko hazaar baar samjhaya ki yaha se koi bhi byakti police station jane ka nahi sochega magar tum logo ko pyaar ki bhasha samajh hi nahi aati. Hamne khud tum logo ki zarurat ka sara jimma liya. Agar kisi ko kisi cheez ki zarurat thi to ham khud wo cheez tum logo ke liye la kar diye, badle me sirf itna hi chaha ki tum log tab tak apna muh band rakho jab tak ki hamare jai bhai ka wo kamina bhai vijay pakad me nahi aa jata. Hamne tum logo se ye bhi puchha ki vijay ne unhe kaha chhupa ke rakha hai magar tum logo ne kuch nahi bataya. Hamne bhi ye soch kar tum logo ko kuch nahi kaha ki ho sakta hai ki tum logo ko sach me is bare me koi jankaari na ho magar laakh mana karne ke baavjud tum log chori chhipe police station jane ka gunaah kiya hai. Is liye ab kisi ke bhi sath raham nahi kiya jayega."

Hariya ki baate sun kar aur to koi kuch na bola magar manohar aur dayanand ke ghar wale hath jod kar raham ki guhaar lagane lage. Hariya ki nazar do sundar ladkiyo par padi to wo un dono ki taraf badh chala. Ye dekh manohar aur dayanand chhatpatate huye cheekhne lage aur kahne lage ki unhe kuch mat kahna. Gunaah hamne kiya hai to saza hame do.

"Chinta mat kar." Hariya ne palat kar manohar se kaha____"Main to bas ye dekhne ja raha tha ki itni sundar kanyaao ka zara bhi khayaal nahi aaya tum dono ko.? Sochna chahiye tha na ki tumhari galtiyo ki vajah se inke sath kuch bura bhi ho sakta hai magar tum dono ne ek baar bhi nahi socha. Is liye ab jo kuch bhi inke sath hoga uske jimmedaar tum dono hi hoge."

"Bhagwan ke liye unke sath kuch mat karna." Dayanand ne gidgidaate huye kaha_____"Ham kabool karte hain ki hamne police station jane ka apraadh kiya hai. Is liye tum jo chahe hame saza de do magar hamari betiyo ko kuch mat kaho."

Abhi hariya kuch bolne hi wala tha ki ek moter cycle waha aa kar ruki. Moter cycle me ek hatta katta aadmi baitha hua tha. Use dekhte hi hariya uske paas gaya aur fir bola_____"Moorat bhai yahi hain dono jo aaj hamari aankho me dhool khonk kar police station ja rahe the. Wo to achha tha ki hame pahle se hi andesha tha ki jangal ke raaste se bhi ye log shahar ja sakte hain. Is liye ham us jangal me isi nigraani me the."

Hariya ki baat sun kar moorat ne qahar bhari aankho se manohar aur dayanand ki taraf dekha. Manohar aur dayanand use is tarah khud ki taraf dekhte dekha to dono ki rooh tak kaamp gayi. Udhar dono ki ghar ki aurte bhaagte huye aayi aur moorat ke aage haath jod kar raham ki bheekh maagne lagi.

"Aaj aakhiri baar tum dono ko chhod deta hu." Moorat ne manohar aur dayanand ki taraf dekhte huye kaha______"Sirf is liye ki tumhare ghar ki in aurto ko tumhari kartuto ki vajah se koi dukh na jhelna pade. Tum logo se ham sirf itna hi to chaahte hain ki tum log police ke paas ja kar ye na bataao ki jis aadmi ke bare me janne je liye police ne uski photo akhbar aur news channels par de rakhi thi use tum log jaante ho. Hamari samajh me ye nahi aata ki tum log aakhir us niradayi aur hatyaare ke bare me kyo police ko batana chahte ho. Aakhir kyo tum log us bure aadmi ka paksh le rahe ho.? Jabki tum sab jaante ho ki usne tum logo ke sath hamesha hi galat kiya hai. Tum logo ki bahan betiyo ko zabardasti uthaya aur unki ijjat looti. Wo aisa haiwaan hai jisne apne bhai aur apni bhabhi tak ko nahi chhoda. Usne apni maa samaan bhabhi ki ijjat lootne ki koshish ki aur jab wo apne maksad me kamyaab nahi hua to usne apne bhai ke saas sasur ko hi jaan se maar diya. Aise bure aadmi ke liye tum log kyo apni jaan par khel rahe ho.? Wo tum sabka apraadhi hai aur use saza dene ka adhikaar police ya kanoon ko nahi hai balki tum sabko hai."

"Hame maaf kar do moorat bhai." Manohar ne kaha______"Lekin tum galat samajh rahe ho. Ham police station uske bare me batane nahi ja rahe the balki ye batane ja rahe the ki tumne sare gaon ko bandhak bana rakha hai aur tumhare aadmiyo ki vajah se ham chain aur sukoon se yaha ji nahi pa rahe hain. Bas yahi batane ja rahe the. Baaki hame us haiwan se koi moh nahi hai, balki ham sab gaon wale yahi chahte hain ki us bure insaan ko aisi saza mile jiske bare me usne socha bhi na ho."

"Ye sach hai ki hamne pure gaon ko hi nahi balki aas paas ke gaon ko bhi bandhak bana rakha hai." Moorat ne apni bhari awaaz me kaha_____"Magar hamne kisi ke sath apni marzi se kuch galat nahi kiya balki hamne kisi ke sath tabhi galat kiya hai jab kisi ne hamare khilaaf jane ki koshish ki thi. Hame to ye sab karna bhi na padta agar us vijay ki yaad daast na gayi hoti. Ham chaahte to use uske bure karmo ki saza pahle hi de dete magar wo kameena game khel gaya hamare sath. Apni yaad daast to gawaya hi magar sath me un logo ko bhi pata nahi kaha gayab kar gaya. Agar wo log hamari nazar me rahte to fir hame koi dikkat nahi thi, yaani ham use pahle hi uske kiye ki saza de dete. Ye hamari majburi hai ki hame uski yaad daast wapas aane ka intzaar hai taaki ham usse puchh sake ki usne unhe kaha chhupa ke rakha hai.? Hame to shanka hai ki usne kahi un logo ko bhi na jaan se maar diya ho."

"Inhe ye sab batane ka koi faayda nahi hai moorat bhai." Hariya ne kaha_____"Ye log wahi karenge jiske liye inhe mana kiya jaye."
"Bas aakhiri baar inhe chhod do hariya." Moorat ne kaha______"Uske baad bhi agar ye log aisi galti kare to galti karne wale ko bejhijhak goli maar dena."

Moorat ne kaha aur wapas apni moter cycle par baith gaya. Aas paas khade logo ki taraf dekhte huye fir usne kaha_____"Ab bas kuch hi samay ki baat hai. Kuch samay tak aur ye bandhan jhel lo tum log. Uske baad tum sab azaad ho jaaoge."

Moorat ki ye baat sun kar charo taraf khade logo ne haan me sir hila diya. Uske baad moorat waha se chala gaya. Uske jane ke baad hariya aur mangal ne un dono ko chhod diya. Wo dono bahut bahut shukriya kahte huye waha se apne apne ghar chale gaye. Aas paas maujud log bhi apne apne gharo ko chale gaye.

"Yaar mangal." Sabke jane ke baad hariya ne bura sa muh banate huye kaha______"Is moorat ne to sara kaam hi kharaab kar diya. Achha mauka tha aaj un dono ki betiyo ko pelne ka. Kasam se bada hi tanch maal dikh rahi thi wo dono. Ek ek ko ham dono le jate aur unki ras bhari jawaani ka maza lete magar is moorat ne unhe chhod kar sara maza hi kharaab kar diya."

"Baat to sahi kah raha hai tu." Mangal ne kaha_____"Magar isme moorat ki bhi koi galti nahi hai. Kyo ki usko apne jai bhai ne yahi bol rakha hai ki gaon me kisi ki bhi bahu betiyo ki ijjat par haath mat daalna. Ab bhala wo mangal jai bhai ka hukum kaise taal sakta hai bhala.?"

"Jo bhi ho." Hariya ne bhed bhari muskaan ke sath kaha______"Ham to shikaar kar hi lete hain na. Koi na koi ras se bhara tanaka maal hame mil hi jata hai. Power me rahne ka ek yahi faayda hai ki yaha ki fuddiya hame inkaar nahi kar sakti."
"Moorat ko to pata hi nahi hai is baat ka." Mangal ne muskuate huye kaha______"Aur gaon wale hamare dar se use batate bhi nahi hain."

"Tu saale marwa dega kisi din." Hariya ne kaha______"Ye gaon wale isi vajah se to chori chhipe police station ki taraf jane ka sochte hain. Waise aaj agar un dono ne moorat ko hamari kartoot ke bare me bata diya hota to moorat ham dono ki khaal udhed deta. Achha hua ki un dono ne baat ko badal diya tha."

"Sahi kaha." Mangal ne kaha_____"Un dono ke andar hamara khauf tha is liye moorat ko asal baat nahi bataayi un dono ne magar mujhe lagta hai ki ab hame thoda saawdhani se kaam karna hoga. Kahi aisa na ho ki kisi din hamari pol khul jaye aur moorat ke haatho hamara kriya karm ho jaye."

"Sahi kah raha hai tu." Hariya ne mangal ki baat ka samarthan karte huye kaha______"Ab hame apne andar ki hawas ko thoda control me rakhna hoga. Chal ab yaha se kahi baith kar gaanja fukenge."

Hariya ke kahne par mangal jeep me baith gaya aur fir kuch hi palo me unki jeep kachchi sadak par dhool udaate huye ek taraf ko chali gayi. sara gaon unke jane ke baad bhi sannate me duba raha.

<>•<>•<>

"Kya tum mujhse naraaz ho.?" Raaste me jab vidhi se na raha gaya to usne khud hi dushyant se baat karne ka sochte huye usse pucha tha.
"N..nahi to." Dushyant uske puchne par pahle to jalke se chaunka fir sapaat lahje me kaha_____"Main bhala tumse kyo naraaz hone laga.?"

"Kya tum mujhe bevkuf samajhte ho.?" Vidhi ne uski taraf dekhte huye kaha.
"Nahi, balki main khud apne aapko hi bevkuf samajhne laga hu." Dushyant ne ajeeb bhaav se kaha.
"Achha." Vidhi ke hotho par jane kya soch kar muskaan ubhar aayi thi, boli_____"Aisa kya ho gaya hai ki tum apne aap ko hi bevkuf samajhne lage ho.?"

"Maine realise kiya hai ki jabse mere andar tumhare liye love wali feelings aayi hain." Dushyant ne kaha_____"Tab se mera zahen thik se kaam nahi kar raha hai. Is liye maine faisla kiya hai ki avinash ko kisi dusri surakshit jagah par rakhuga aur fir main gudiya ko le kar apne police quarter chala jaauga."

"Ohh to tumhe meri vajah se problem hai." Vidhi ne apne machal uthe jazbaato ko dabate huye kaha_____"Waise kitni asaani se ye baat kah di na tumne.? Kya tumne zara bhi nahi socha ki tumhari is baat se mujhe kitna bura lag sakta hai.?"

"Sahi kaha tumne." Dushyant ne apna sir hilaate huye kaha_____"Kuch baate aisi hoti hain jinke kah dene se insaan ko bahut bura lagta hai magar iske baavjud insaan aisi baate kah deta hai."
"Kya matlab hua is baat ka.?" Vidhi ne dushyant ki taraf dekhte huye kaha.

"Rahne do yaar." Dushyant ne kaha_____"Kuch baato ke matlab agar hote bhi hain to unhe bataye nahi jaate. Bas itna samajh lo ki har kisi ke seene me dil hota hai jo kuch baato se dukh jata hai. Ye alag baat hai ki dil dukhane wale ko isse koi fark nahi padta."

"Saaf saaf bolo dushyant." Vidhi ne nam aankho se dushyant ki taraf dekhte huye kaha______"Yu baato ko ghuma fira kar kahne ki koi zarurat nahi hai. Agar tumhare andar koi baat hai ya meri kisi baat se tumhara dil dukha hai to mujhe bataao. Main wada karti hu ki apni galti maan kar tumse maafi magne me ek pal bhi jaya nahi karugi."

"Tumhe kisi baat ke liye mujhse maafi maagne ki koi zarurat nahi hai vidhi." Dushyant ne kaha_____"Kyo ki na to tumne koi apraadh kiya hai aur na hi tumne mera dil dukhaya hai. Kabhi kabhi aisa bhi hota hai ki insaan khud hi apna dil dukha leta hai. Khair chhodo ye sab aur ye bataao ki aaj picnic par aane ki kya vajah thi.?"

"Kya lagta hai tumhe.?" Vidhi ne ulta sawaal kiya_____"Tumhare hisaab se aaj picnic par aane ki kya vajah ho sakti hai.?"
"Ye sawaal maine kiya tha." Dushyant ne kaha______"Is liye jawaab tumhe hi dena chahiye ki aaj picnic par aane ki aakhir kya vajah hai.?"

"Pahle tum khud socho." Vidhi ne kaha______"Aur fir agar tumhe iski vajah na samajh aaye to mujhse puchh lena."
"Ab bhala ye kya baat huyi.?" Dushyant ne uljhan bhare bhaav se kaha.
"Baat to baat hi huyi." Vidhi ne kaha______"Kabhi kabhi apna bhi dhele bhar ka dimaag laga liya karo aur haan...ab mujhe disturb na karna. Main thodi der araam se so jana chahti hu. Tumhe picnic ke liye jaha le chalna ho le chalo. Jab ham pahuch jaye to mujhe jaga dena."

Vidhi ne kaha aur fir wo sheet par lagbhag fail gayi. Sheet ki pichhli pusht me apne jism ka pura bhaar thama kar usne apni aankhe band kar li. Dushyant ne kuch kahna chaha magar fir jane kya soch kar chup rah gaya. Vidhi ki baato ne use uljhan me daal diya tha aur ab wo car chalate huye isi bare me sochta ja raha tha.
 

Top