Romance Bewafa (Hum ya Woh ?) completed

There can only be one king.
Moderator
3,274
6,132
143
Update 9

Iske baad chup chap khana khate hai sab .. Aur khana khane k baad zakki ghar se bahar nikla aur gadi le k chala gya .. Aik packet sigeret ka leta hai shop se aur gadi mein hi jala k peene lagta hai .. Ye uska pehla sigeret tha zindagi mein .. Aur sigeret se shuru hui aur dheere dheere chars bhi peene laga .. Ab uske jeene ka aik hi sahara tha ye chars ..

Aksar Naddi k kinare jaata aur chars peete rehta .. Isi tarah teen saal guzar gaye .. In teen saalon mein zakki itna change ho gaya k aksar log usey pehchan bhi nahi pate .. Reguler charsi ban gaya tha .. 24 ghante nashe me rehta .. Na ghar wale usse baat kar pate the na koi aur .. Dheere dheere maut ki taraf jaa raha tha who ..

In 3 saalon mein usne padhai chodh di thi .. Kyu k Inter part 2 mein itni buri tarah se fail hua .. k dubara jab papers dene ki koshish kiya to all down ho gaya .. Ab uska padhai se dil bhar gaya tha .. Jab bhi kitabein nikalta who zeeniya k sath uska competition yaad ata tha usey ..

Padhai chodh k usne aik aur kaam shuru kar diya tha .. Aik peer baba ki mureed ban gaya tha .. aur unse jismani o ruhani ilaaj karne ka tareeqa seekh raha tha .. Taaweez waghera karna seekh gaya tha .. aur 2 saal mein hi sab kuch seekh chukka tha .. Aur usey ijazat mil chuki thi ilaaj ka .. Ab who aksar logon ki ilaaj karta tha .. aur kafi mashhoor ho gaya tha .. Uske taaweez mein itna asar hota tha k jald hi kam ho jata tha .. ya ilaaj ho jata tha .. Is kam mein maharat hasil kar chukka tha ..

Aur aik kaam ye bhi shuru kar chukka tha .. K apne ehsaas apne dard apni adhuri pyar k yaadon ko Sher o shairi k zariye bayan karta tha .. Uske shairi mein itna dard hota tha k sunne wala is dard ko mehsoos karta tha ..

Ab usne mukhtalif books padhne shuru kiya tha .. Apne ilm mein izafa karne k liye .. Aur behes mein ab isse jeetna na mumkin tha .. Jis topic pe baat ho isey sab se ziada knowledge hoti thi ..

In saalon mein jo nahi badla tha .. to zeeniya k liye uska pyaar .. Ab bhi usey lagta tha k shayad uske ghar wale maan jayenge .. kabhi unse kehta nahi tha .. magar who bhi jante the zakki k halat ..

Zakki har din zeeniya k ghar k samne se guzarte hue us jageh ki taraf jata tha .. aur ate jate waqt us taraf chehra ghuma k zaroor dekhta tha .. ye uski aadat ban chuki thi .. Ab jitney moon utne baat .. Dekhne wale alag alag kahaniyan banana lage uske bare mein .. Koi kehta k who zeeniya ko bhagane k liye chakkar lagata hai .. is tarah k boht se baatein banana lage the uske bare mein ..

In sab baaton se tang aa ker Zeeniya k abbu ne uske shadi ki baat ki .. Rishta to pehle se hi tay ho gaya tha .. aur ring bhi exchange ho gaye the .. Isliye jald hi shadi ki date rakhi ..

Aik din zakki raat ko late ghar aa ke so jata hai .. aur dopeher ko uthta hai .. room se bahar nikal k hall mein jata hai .. table pe aik Card padhi thi Shadi ki .. Zakki khol k dekhta hai ye Zeeniya k shadi ki card thi .. aur kal shadi thi uski ..

Who card dekhne k baad who sidha ghar se nikal gaya .. aur gadi le k chala gaya apne jageh ki taraf .. waha pohonchne k baad raat tak chars peeta raha .. aur raat ko waha ulti kar ke kafi halat kharab ho gayi .. aur wahi behosh ho gaya .. jab uski aankh khuli to khud ko wahi naddi k kinare paya .. aur uske upper kuch log khade the jo shayad mazdoor the ..
Kher waha se sidha apne ghar aata hai .. Ghar aa ke dekhta hai .. Sab ready ho chuke the shadi pe jane k liye .. who kisi se baat kiye bagher apne room me jata hai .. aur door band kar ke bed pe gir jata hai .. aur so jata hai .. Uski neend sham ko tootti hai ..

Jab who room se bahar nikalta hai .. to dekhta hai ghar me koi nahi sab jaa chuke hai .. who phir gadi le k chal deta hai apne jageh ki taraf .. Jab zeeniya k ghar k samne se guzarta hai .. to apna chehra ghuma k uske ghar ki taraf dekhta hai .. Aur shadi ka mahol dekh k uske aankhein nam ho gayi .. aur full speed waha se nikalta hai .. aur apne jageh pe jata hai ..

Aur phir waha se raat ko 10 baje k qareeb nikla .. aur Zeeniya k ghar k samne uski accident ho gayi .. Log uske body ko gadi se bahar nikalte hai .. Waha zeeniya ki dolly nikal rahi thi .. aur yaha Zakki dam todh chukka tha .. Aur jab who log is taraf dekhte hai .. to sab is taraf aate hai ..

Gadi ko dekh k zeeniya daudhte hue waha ati hai .. aur logon k beech se nikalte aage aati hai .. aur jab Zakki ki taraf dekhti hai .. to aik cheekh nikal jati hai .. 3 saal se who zakki se nahi mili thi .. aur aaj mili bhi to kis haalat mein .. Zakki dam todh chukka tha .. Aur uski rooh parwaz kar chuki thi .. Gadi mein gana lagi hui thi jo zakki ne drive karte hue play kiya

Idhar zindagi ka janaza uthega

Udhar zindagi unki dulhan banegi

Ishq ko dard e sar kehne waalon suno

Kuch bhi ho humne ye dard sar le liya

Who nigaahon se bach kar kaha jayenge

Ab to unke muhalle me ghar le liya

Aye ban than k shehr e khamoshaa Mein

Qabr dekhi jo meri to kehne lage

Aik be ghar ne acha sa ghar le liya

Idhar zindagi ka janaza uthega

Udhar zindagi unki dulhan banegi

Idhar zindagi ka janaza uthega

Udhar zindagi unki dulhan banegi

Jawani pe meri sitam dhaane walo

Zaro soch lo kya kahega zamana

Idhar mere armaan kafan pehen lenge

Udhar unke haathon pe mehendi lagegi



The End

 
There can only be one king.
Moderator
3,274
6,132
143
Last Update Posted

Aap sab k Support ka boht boht shukriya. Ispe bhi apne bharpoor reviews de dein phr mein apne Favourite reviews First page pe lagata hu
 
There can only be one king.
Moderator
3,274
6,132
143
Review k sath ye bhi bataye k aap logo ko kya lagta hai kon bewafa hai is kahani mein ?
  • Zeeniya - Jo Zakki se pehle shadi kar rhi hai.
  • Zakki - Jo apne family ko mana nahi saka aur is dunya ko chorh k chala gaya ?
  • Ya koi aur ?
 
expectations
22,454
14,682
143
Is story ke mutabik sara kasoor Zakki ka khud ka hai uske dada ji usko property de to rahe the bas ghar chhodna tha kuch shaal me sayad maan jate aur na bhi mante to uska khud ka ek hansta khelta pariwaar hota lekin bujdili me khud ko mita dala usne aaj kya hua uski hasti mit gayi.
 
Member
239
693
93
Is story ke mutabik sara kasoor Zakki ka khud ka hai uske dada ji usko property de to rahe the bas ghar chhodna tha kuch shaal me sayad maan jate aur na bhi mante to uska khud ka ek hansta khelta pariwaar hota lekin bujdili me khud ko mita dala usne aaj kya hua uski hasti mit gayi.
Bilkul thk Keh rhy ho ap
 
Member
159
137
45
Story is good, but ending, and few things like understanding of each other, and some changes in plot of story. It will be great. Is my thinking.

Else it is great
 
There can only be one king.
Moderator
3,274
6,132
143
Is story ke mutabik sara kasoor Zakki ka khud ka hai uske dada ji usko property de to rahe the bas ghar chhodna tha kuch shaal me sayad maan jate aur na bhi mante to uska khud ka ek hansta khelta pariwaar hota lekin bujdili me khud ko mita dala usne aaj kya hua uski hasti mit gayi.

:thanks: for your precious comment :dost:

Keep supporting in other stories :hug:
 

Top