Thriller DARK GIRL ~The vampire~(COMPLETED)

Member
312
78
28
"Nahi ghar par nahi. Kaafi log hote hain" Voboli toh mujhe uski baat mein dam laga. Vo ek shaadi shuda aurat thi. Yun kisi police wale ka ghar par aakar usse baat karna utna hi bura mana jata jitna ke uska khud police station jana.
"Ek kaam karte hain" Maine kaha "Na aap police station aaiye aur na main aapke ghar. Kahin bahar mil kar baat kar lete hain. Main aapka zyada waqt nahi loonga"
"Ok. Bataiye kahan aana hai?"
Usne puchha toh maine uske ghar se thoda door ek coffee-house ka address bata diya.
"Ok. Kitni der baad aana hai?"
Is baat ke liye main taiyyar nahi tha. Main ummeed kar raha tha ke vo mujhe kal ya parso milne ka kahegi.
"2 ghante baad?" Maine ghadi ki taraf dekhte hue kaha.
"Sure. I will be there"
Phone rakhne ke baad maine chain ki saans li. Mujhe lag raha tha ke Maya se baat karne mein ya information lene mein shayad khaasi mehnat karni pade. Vaise bhi aaj kal policewalo se aasani se koi baat nahi karta aur main toh vo bhi nahi tha. Jis tarah se maine use munh utha kar phone ghuma diya tha, usse mujhe lag raha tha ke vo shayad baat karte hue bhi sochegi, ulta mujhse sawal karegi par aisa hua nahi.Vo kaafi aasani se maan gayi thi.
Khair, main naha dhokar Lodge se nikla. Daadhi moonchh aur kaan se us key-chain ring ko maine nikal diya tha. Yun asli chehre ke saath khule mein aana khatarnaak tha par mere paas aur koi chara bhi nahi tha.
Ek taxi mein beth kar main us coffee-housepahuncha aur Maya ka intezaar karne laga. Vahan us waqt kaafi chehal pehal thi. Ek table par beth kar maine ek cup coffee mangvayi aur darwaze par nazar gadaye Maya ka intezaar karne laga. 2 ghante takreeban poore ho hi chale the.
Vahan us waqt kaafi log the aur koi na koi darwaze se aa ja raha tha jinmein aadhe se zyada ladkiyan aur auraten thi. Mujhe samajh nahi aa raha tha ke use pehchanunga kaise par Thodi hi der baad ek ladki darwaza khol kar andar aayi aur khadi aas paas ki tables ka jaayza lene lagi.Uske kapdon aur haathon ki kalaiyon mein pade choode ko dekh kar koi bhi bata saktatha ke uski abhi haal filhal mein hi shaadi hui hai. Main fauran samajh gaya ke ho na ho, yahi Maya hai.
Main chair se uth kar khada hua aur haath utha kar usko ishara kiya. Vo fauran muskurati hui meri taraf badhi. Uske saath ek ladka bhi tha.
"Maya ji?" Vo kareeb aayi toh maine apna haath milane ke liye aage badhaya"Inspector Khan"
"Hello" Usne haath milaya aur apne saath aaye aadmi ki taraf palti "My husband Rajesh"
Of course. Koi policewala yun kisi ladki ko phone karke bulaye toh vo akeli toh nahi aane wali thi. Shaadi-shuda thi toh apne husband ko saath laayi.
"Hello Sir" Maine us aadmi se haath milaya aur ham teeno table par beth gaye.
Maya ke bahut hi khobsurat nain-naksh wali ladki thi. Lamba kad, slim body, gora rang, teekhe nain naksh, overall ek pleasant personality. Uske chehre par ek muskurahat jaise har waqt rehti thi. Ek smiling face, jaisa ke kaha jata hai, khuda ne jaise use tohfe mein diya tha.
Usse milte hue sirf ek baat ka mujhe darr tha. Maine chaude mein ye keh toh diya thake main Inspector Khan hoon par agar vo mujhse mera ID card dikhane ko bol deti toh mujhe baglen jhaankni padti. Par aisa hua nahi. Maine kaha ke main policewala hoon aur un dono ne maan liya.
"Kya legen aap log?" Maine puchha.
"Regular?" Vo apne pati ki taraf palti aur usne bhi muskurate hue haan mein sar hiladiya.
"Ham log yahan aksar aate rehte hain" Vo mujhse mukhaatib hui "Yahan ki cappuccino amazing hai. Aapko bhi try karni chahiye"
"All right then, cappuccino it is" Maine muskurate hue kaha aur ek waiter ko order diya.
"Raghu se baat ki aap logon ne?" Maya ne mujhse sawal kiya.
Main is sawal ka jawab kya doon soch hi raha tha ke usne mera chehra padh liya.
"You guys dont know about him yet?"
"No i am afraid not. Who is he?"
"He was Saanwli's boyfriend. Kaafi serious thi vo uske baare mein"
"Mujhe is baare mein koi information nahi mili hai ab tak" Maine apni jeb se ek chhotasa notepad aur pen nikala "I didnt even know she had a boyfriend. Raghu you said his name was?"
"Yeah Raghu but i think vo uska pet name tha. Uska real name shayad Pratap tha. Raghu vo usko pyaar se bulati thi"
 
Member
312
78
28
Mili thi aap kabhi is Raghu se?" Maine sawal kiya.
"Nahi i never met him, Saanwli uske baare mein batati rehti thi aksar. Kayi baar vo agar bathroom vagerah mein hoti thi toh main uska phone receive kar leti thi tab ek aadhi baar usse baat hui thi, isse zyada nahi"
Tabhi ek waiter ek cup mein 3 cappuccino le aaya toh ham kuchh pal ke liye khamosh ho gaye.
"Vaise aapne mujhe pehchana kaise?" Waiter ke jaane ke baad ham teeno ne apna apna coffe ka cup uthaya aur Maya nemujhse puchha.
"Kind of easy you know. Mujhe bataya gayatha ke aapki recently shaadi hui hai jiske baad aap Pune mein shift ho gayi thi. Aapke haathon ka chooda aur aapke kapde is baat ki gawahi de rahe hain. Aur jis tarahse aap aur aapke husband andar aakar chaaron taraf dekh rahe the usse saaf patachalta tha ke aap kisi ko dhoondh rahe hain. Toh bas maine 2 aur 2 milaye aur 4 hogaye"
"Nice" Vo muskurati hui boli "Mujhe laga keshayad aapne meri photo vagerah dekhi hokahin. Hostel records mein i mean"
"Nahi nahi. It was just a lucky guess when you walked in that door" Maine coffee ka sip lete hue kaha.
"Vaise aap na pehchante toh ham pehchan lete" Is baar uska husband bola "You have that police wala look you know"
Ye nayi baat thi. Aaj tak mujhe kisi ne ye nahi kaha tha. Samajh nahi aaya ke compliment samjhun ya comment.
"Really?" Maine maathe par shikan laate hue kaha.
"Yeah specially that shaved head of yours. Gives that cop look you know" Usne mere ganje sar ki taraf ishara kiya.
Chalo ganja sar kahin toh kaam aaya. At least yahan ID card dikhane ki naubat nahi aayi, vo kaam mere ganje sar ne kar diya.
"I didnt mean it in an offensive way though, just making conversation" Usne fauran safai bhi di ke kahin main bura na maan jaoon.
"Arrey nahi there is no need of that. Ham policewale bhi joke samajh lete hain kabhi kabhi" Maine bhi sur mein sur milata hua bola "Aur kya bata sakti hain aap mujhe Saanwli ke baare mein"
"Sirf utna hi jitna ke usne mujhe bataya. Vokaafi secretive type ki ladki thi you know, apni baatein kisi se share nahi karti thi. Auryahi vajah thi ke vo hostel mein mere alawa kisi aur ladki se zyada baat nahi karti thi. She was like a closed book you know, you can never know the content without opening it aur aisa vo lakh koshish ke baad bhi karne nahi deti thi. She was very careful about what she is talking to others"
"Even with you?" Maine puchha
"Yeah even with me. Vaise toh ham kaafi frank ho gaye the ek doosre se but apni personnal life mujhse bhi zyada share nahi karti thi vo aur na hi kabhi meri personnal life ke baare mein zyada puchhti thi. Even jab meri shaadi ki baat chali tab bhi usne mujhse is baare mein koi sawal nahi kiya, jitna maine bataya sunkar chup ho gayi which is very weird for a girl you know"
"Yeah i agree" Maine sehmati jatayi.
"I mean baatein karna toh ham ladkiyon kenature mein hota hai aur shaadi toh ham logon ka favourite topic hota hai but not for her. Vo mere saath baatein bahut karti thi, ham log hasi mazak bhi karte the par sab idhar udhar ki baatein. Nothin personnal about each other. Uske baare mein jitna maine jana vo ya toh uske munhse suna ya uske saath rehkar uske daily routine ko notice karke jana"
"Ok. Why dont you run me through this, whatever you know i mean. Let me see if i can find anything that can be useful to me"Maine sochte hue kaha.
"Yeah sure. Let us see, Vo Mumbai koi ek saal pehle aayi thi. Aane se pehle hi usne is hostel mein booking kara li thi shayad ya phir use yahan ka pata kaise chala i cant tell you that. Usne kabhi bataya nahi. Shuruke kuchh din tak hamare beech sirf Hi Hello hi thi, isse zyada kuchh nahi. Aur phir dheere dheere ham dono ki aapas mein baatein hone lagi. Vo kaafi din tak job talash karti rahi aur phir maine hi uski help karke apne ek friend ke through ke office mein as receptionist ki job dila di. Thats when we actually became friends, she was kind of thankful to me you know"
"Kahan job karti thi vo?"
"Ek Private office hai, mera ek friend vahankaam karta tha. They make some hardware stuff i think, Nails and screws you know. Vahan receptionist ki post open thi toh maine use kaha ke try kar le. Kismatse use job mil bhi gayi"
"Is Office ka address de sakti hain aap mujhe?"
"Sure" Kehte hue usne mujhe Bandra ka ek address likhvaya.
"Ok. What after that?"
"Pehle sab theek raha, vo subah office chalijaati thi aur shaam ko aa jaati thi par phir dheere dheere she satarted changing"
"Changing in terms of?"
"In terms of everything. Pehle sidhe saade kapdon mein rehti thi but then she started dressing up a little fancy which i think was quite natural for an independent girl living in Mumbai. But then she started coming late and by late, i mean really late"
"How late?"
"Like 12 or 1 in the night. Subah 8 ya 9 baje tak nikal jaati thi aur phir raat ko 12 baje tak vaapis aati. Maine sawal kiya ke itna late tak kahan rehti hai toh pehle toh taal gayi phir bataya ke kisi friend ke saath bahar ghoomne chali jaati hai"
"Which is also not quite un-natural i think"
"No its not but then ek raat mujhe neend nahi aa rahi thi aur main hostel ki chhat par tehal rahi thi and i can swear ke use ek police ki gaadi drop karke gayi thi"
Mere dimag ki fauran ghanti baji. Us hostel ke guard na bhi mujhe yahi baat batayi thi.
"Police ki gaadi?"
"Yeah, maine usse puchha bhi tha is baare mein par vo hamesha ki tarah taal gayi. Kehne lagi ki police ki gaadi nahi thi aur mujhe dhokha hua hai"
"Phir?"
"Phir achanak se usne phir se time par aana shuru kar diya. Office se sidha ghar aati aur phir 2-3 ghante ke liye ghoomne nikal jaati. Tab mujhe pata chala uske boyfriend ke baare mein"
"Pratap ya Raghu jo bhi naam hai uska?"
"Yes. Ek din kaafi excited thi vo kisi baat ko lekar. Apne cellphone mein kisi ko messagepar message kar rahi thi. Maine puchha tohkhush hote hue usne mujhe bataya ke uskaek boyfriend hai aur vo office se aane ke baad shaam ko usi ke saath ghoomne phirne nikal jaati hai"
"Is Raghu ke baare mein kuchh bataya usne?"
 
Member
312
78
28
"Nahi kuchh khaas nahi. Main bataya na ke kaafi secretive thi vo. Ek do baar maine jaanna bhi chaha tha. Specially jab vo ye kehti thi that she will get married to that Raghu guy" Maya ne baat jaari rakhi.
"Married? That serious?" Main bola.
"Oh yeah, she was head over heels in love with that guy. Aksar kehti thi ke vo bhi use utna hi chahta hai aur dono shaadi kar lenge. Ek do baar uske yahi kehne par maine puchha ke vo ladka karta kya hai, kahan ka hai vagerah vagerah par vo har baar haskar taal deti thi. Aur tab tak main bhi uska nature samajh gayi thi toh phir main bhi zyada sawal jawab nahi karti thi"
"Kuchh aisa notice kiya ho aapne kabhi uske baare mein which you think was a little weird?"
"You mean related to Raghu?"
"Related to anything"
"Not something particular. Offhand toh mujhe 2 baatein hi yaad aati hain jo mujhe laga tha ke thodi ajeeb thi aur isse kabhi maine uske baare mein puchhna chaha bhi toh nahi puchha. Ek toh vo vaise hi baatein share nahi karti thi and then ye baatein mujhe thoda awkward bhi lagi toh phir main chup hi reh gayi ke kahin vo bura na maan jaaye"
"Kaun si baatein?" Main apne notepad mein saath saath jo baatein mujhe zaroori lag rahi thi likhta bhi ja raha tha.
"Pehli toh ye ke us ladke ka number uske cell mein saved nahi tha" Maya ne bataya.
"Matlab? Raghu ka number?"
"Yep, Raghu ka number"
"Saved nahi tha matlab?"
"Matlab ke kisi naam se saved nahi tha. Callaati thi toh bas number dikhai deta tha, koinaam nahi"
"Hmmm, thats weird" Maine sochte hue kaha.
"Exactly. Uska number ya toh Saanwli ko yaad raha hoga ya phir call list mein se hi nikalkar phone karti hogi."
"Aisa karne ki koi khaas vajah aapko lagi hokabhi koi?"
"I havent got the faintest clue. And ek baar maine usko ek address message kiya tha kahin se, baad mein mujhe us address ki zaroorat padi. Usne mujhe kaha ke main uske cell se le loon. Jab main uske message box mein gayi toh us ladke ke number se kayi saare messages Saanwli ke cell mein the par naam se nahi the, sirf number hi dikhai de raha tha"
"And how do you know ke ye us ladke ka hi number tha?"
"Ek do baar calls receive ki thi maine toh number dikh gaya tha. Uske number ke last3 digits 000 the toh isliye vo alag hi dikhai de jata tha"
"Do you remember that number?"
"No i am sorry. Bas itna yaad hai ke last mein teen zeroes the"
"Ok" Maine diary mein note banate hue kaha "Aur doosri baat?"
"Doosri baat ye ke i think vo kuchh galat logon ke saath mix up ho gayi thi beech mein. Its just a hunch you know, i cant say for sure" Vo thoda jhijhakti hui boli.
"What makes you say that?"
"Ek baar main shopping ke liye market mein ghoom rahi thi, akeli and then i saw Saanwli with a few girls"
"Girls from the hostel?"
"No, not from the hostel. Girls that i didnt know and i have no idea that how she knew them. She never mentioned them to me as well"
"Maybe her friends from work?"
"Oh no not at all" Maya ne fauran jawab diya "Pehli baat toh ye ke vo jahan kaam karti thi vahan main gayi hui thi, aur mera ek dost bhi vahan kaam karta tha so i knewthat those girls are not from there. Aur doosri baat vo ladkiyan thi bhi nahi aisi kahin office mein kaam karne wali lagen"
'Can you elaborate on that a little?" Maine kaha.
"Ab kaise bataoon" VO sochti hui boli "For example mere husband ko dekhiye"
Usne apne husband ki taraf ishara kiya .
"Suit boot mein well dressed, dekhke lagta hai ke padha likha insaan hai aur achhe ghar se hai. He has that civilized sa well behaved aadmi wala look"
"Oh come on" Uska husband embarass hota hua bola.
"I think she is right" Maine haskar jawab diya.
"Ab sochiye ke aap mere husband ko Mumbai ke kuchh mawali type ladkon ke saath dekhte hain, wouldnt that look a little weird to you?"
"Yes it would. So you saw her with some girls that did not fit the criteria of people she usually would hang out with?"
"Yes you are right. You know us type ki ladkiyan like ....."
"Like Bar Dancers? Mumbai Bar Girls?" Main samajh gaya tha ke use relate karne mein pareshani ho rahi thi isliye baat maine poori kar di.
"Yes" Vo fauran boli "Thats it. Bar Dancer type ladkiyan"
"Hmmm. Thats interesting indeed"
"And this was at the time when she was with Raghu?"
"Nahi ye usse pehle ki baat hai, jab vo office se raat ko 12-1 baje ke kareeb vaapisaati thi. And now since you mentioned Bar Dancer, mujhe ek teesri baat aur yaad aayi"
"And what is that?"
"Uske cell mein maine ek baar ek ladki ka number saved dekha tha jiska naam mujhethoda offbeat laga, kinda weird?"
"Ok. What was the name?"
"Soch rahi hoon." Vo dimag par zor daalti hui boli "Champa, pushpa, Basanti ...... "
Vo saare purani filmi style naam ginane lagi jo agar aaj ke zamane mein kisi ladki ke hon toh bechari ka mazak ban jaaye. Achanak vo chutki bajate huye boli.
"Bijli"
"Bijli?" Main chaunk pada.
"Yes, thats it. Bijli. Pehle toh mujhe laga ke shayad electricity office vagerah kahin ka number hai par ek baar maine use phone par us ladki se baat karte huye suna and she clearly said, Haan Bijli bol, tu kitne baje tak aa rahi hai. Thats when i knew ke ye Bijli asal mein kisi ladki ka naam hai"
 
Top