Thriller DARK GIRL ~The vampire~(COMPLETED)

Member
312
78
28
"Kaun hai ye?"Usne photo mere haath se lekar gaur se dekhte hue kaha.
"Koi hai jo is waqt lapata hai aur main dhoondhne ki koshish kar raha hoon"Maine jawab diya.
"Girlfriend?"
"Client"
"Achha haan, bhool gayi thi main. Yahi toh karte hain aap, logon ko dhoondhne ka kaam"
"Exactly"Maine haste hue kaha"Any chance ke ise kahin dekha hai aapne?"
"Shakal kuchh jaani pehchani lag toh rahi hai par nahi, meri pehchan mein se koi nahi hai"Vo photo mujhe vaapis dete hue boli"Vaise aapko aisa kyun lagta hai ke main ise jaanti houngi?"
"Kyunki mujhe lagta hai ke ye shayad Sharafat Bhai ke bar mein kaam karti thi"
"Arrey haan"Uske chehre par achanak ek chamak si aayi"Photo dikhana vaapis zara"
Maine photo phir uski taraf badha diya.
"Yaad aaya"Vo photo phir gaur se dekhti hui boli"Tabhi main sochun ke shakal jaani pehchani kyun lag rahi thi. Kya naam tha iska ....."
Vo sar par haath rakh kar sochne lagi toh maine ek ke liye socha ke naam bataoon par phir chup ho gaya.
"Saloni"Vo ekdam se boli"Saloni naam tha iska. Udhar Sharafat bhai ke Genie wale Bar mein waitress thi kuchh arsa pehle tak"
"Saloni?"Maine hairani se uski taraf dekhta hua bola"Are you sure?"
"Haan pakka. Bahut raade wali ladki thi ye. Ek pal ke liye main pehchan nahi paayi par ab yaad aa gaya. Bada rada hua tha iske pichhe"
"Matlab?"
"Sahi toh mujhe bhi nahi pata"Usne photo phir mujhe pakda di"Par kaam zaroor karti thi ye vahan"
"Aur kuchh bata sakti ho iske baare mein mujhe?"Maine thoda dabaav dala.
"Kyun bataoon?"Vo chehakti hui boli.
Tabhi waiter hamara order lekar aa gaya aur table par rakhne laga. Ham dono kuchh der ke liye chup hokar beth gaye.
"Zahir baat hai ke ye jo koi bhi hai, aap ise dhoondhna chahte hain toh agar ye mil gayi toh ismein aapka fayda. Jo ise aapke zariye dhoondhna chah rahe hain unka bhi fayda. Par main agar munh kholun toh ismein mera kya fayda?"
"Kya chahiye?"Maine khana shuru karte hue kaha.
"Tum"
Vo bebaak bol padi toh mujhe jawab dete na bana. Main aise hi kisi jawab ki ummeed bhi kar raha tha par golmol tarike se, is tarah nahi.
Main chup chap usse nazar chura kar khana khane laga.
"Mazak kar rahi hoon"Thodi der baad vo hasti hui boli"Aapke liye toh jaan bhi haazir hai Sharma ji. Puchhiye kya jaanna chahte hain"
"Kuchh bhi"Usne baat palat di toh meri jaan mein jaan aayi,"Ya vo sab kuchh jo tum jaanti ho"
"Zyada toh main bhi nahi jaanti"Usne batana shuru kiya"Asal mein toh vo Bar mein hue lafde se pehle main jaanti bhi nahi thi ke ye kaun hai, bas dekha tha udhar kai baar. Us lafde ke baat pata chala ke iska naam Saloni tha"
Ye baat mare halak se neeche nahi utar rahi thi. Vo kyun vahan apni behen ke naam se kaam kar rahi thi?
"Aur?"Maine puchha.
"Maine bhi sab suna hi hai bas. Kehte hain ke kaafi oonche sapne rakhti thi. Bar mein waitress thi aur sidha Sharafat Bhai par haath daalne ki koshish kar rahi thi. Phir ek baar suna hai ke sharab ke nashe mein Sharafat Bhai ne iske saath shayad kuchh zor zabardasti kari jiska shayad ise bura lag gaya, kyun ye toh mujhe bhi samajh nahi aaya. Matlab jab chahti hi thi Sharafat Bhai ko phasana toh unke haath lagane ka kya bura maanna. Khair, isne Sharafat Bhai ko thappad maar diya. Isse pehle ke baat aage badhti, vahan Bar mein koi tha jo ise bacha le gaya"
"Kaun?"
"Ye koi nahi janta. Par suna hai ke isse pehle Sharafat Bhai kuchh keh ya kar paate, vahin bethe sharab pi rahe aadmiyon mein se kisi ne uthkar unke sar pe bandook laga di aur usi ke zor par is ladki ko vahan se nikal le gaya"
"Phir?"
"Phir bas itna hi. Yahi suna hai. Sharafat Bhai ne saaf hidayat de di thi ke us raat Bar mein jo hua, uske baare mein koi kisi se baat nahi karega"
"Kyun?"
"Ab yaar kaun chahega ke log baat karte phiren ke Sharafat Bhai jaise aadmi ko kisi ladki ne thappad maara, phir kisi ne une sar pe bandook rakh di aur ladki ko unki naak ke niche se nikal le gaya?"
"Haan baat toh sahi hai"
Uske baat main aur vo idhar udhar ki baaten karte rahe. Isse zyada mujhe usse kuchh aur information nahi mil saki. Usse main mila ye sochkar tha ke shayad kuchh sawalon ke jawab mil saken par usne jo information di thi usse aur ulta aur sawal khade ho gaye the.
Sabse bada sawal ye tha ke Saanwli apni behen ka naam kyun isemaal kar rahi thi. Ye baat samajh aati thi ke vo aise Bar mein apne asli naam se kaam nahi karna chahti thi isliye apna kuchh aur naam rakh liya par jo baat samajh nahi aa rahi thi vo ye thi ke apni behen ka naam hi kyun? Ye sach tha ke yahan Saloni ko yahan koi nahi janta tha par aam taur par log apne kisi sage sambandhi ka naam aise istemaal nahi karte, khaas taur se unka jo itna zyada kareebi ho.
Khana khane ke baad main Bijli ko uske ghar tak chhodna chahta tha par usne saaf inkaar kar diya. Vo ek taxi lekar chali gayi aur main vaapis apni car mein aa betha. Cell nikal kar dekha toh ek message tha aur ek missed call thi.
Dono hi Geetanjali Thakkar ke the. Maine message open kiya.
"Call me back. I think i know the girl you are looking for"
Ye kahani mein ek naya mod tha jo apne aap aa gaya tha aur jiski main ummeed bhi nahi kar raha tha. Geetanjali Thakkar ko maine Saanwli ke baare mein pata karne ko kaha zaroor tha par mujhe ummeed nahi thi ke vo kuchh bata sakegi aur yahi vajah bhi thi ke maine dobara usse kabhi puchhne ki zaroorat nahi samjhi thi.
Maine uska number milaya. Cell switched off tha. Uske landline par call kiya toh busy tone hi jaati rahi. Maine ghadi ki taraf dekha, 9.30 PM.
Ghar jaane ka irada badal kar maine utsukta-vash Geetanjali ke ghar ki taraf gaadi mod di.
 
Member
312
78
28
Mumbai mein log kehte hain ke traffic jams din mein nahi raat ko lagne chahiye kyunki yahan ke log din mein kam, raat ko zyada ghar se bahar nikalte hain khaas taur se vo jo apni khud ki gaadi afford kar sakte hain yaani ke Mumbai ki night life. Main kaafi hadh tak is baat se sehmat tha. Raat ka andhera phelne par jahan logon ko apne apne gharon ki taraf chalna chahiye, kha pikar apne bistar ki taraf kadam badhane chahiye, vahin yahan ke log andhera hone par sajna savarna shuru karte hain, taiyyar hona shuru karte hain aur bajaay apne gharo ki taraf jaane ke sair sapate ke liye nikalte hain, night clubs ki taraf kadam badhate hain.
Iska ek namuna mujhe is waqt bhi dekhne ko mil raha tha. Geetanjali ke ghar ki taraf jaate hue mujhe raat ke 10 baje hone ke bavajood heavy traffic ka samna karna pada. Jo raasta mujhe aadhe ghante mein poora kar lena chahiye tha, use poora karne mein mujhe poora dedh ghanta lag gaya. Jab maine us raat finally Geetanjali ke ghar ke saamne gaadi roki toh raat ki 11 baj rahe the.
Ghanti baja kar main darwaze par khada intezaar karne laga par meri ummeed ke mutaabik mujhe is baar darwaze pra lage intercom par uski aawaz sunai nahi di. Maine phir ghanti bajayi par phir kuchh kuchh nahi. Apna cell nikal kar use phone karne ki koshish ki par situation phir vahi. Cell switched off tha aur landline par busy tone sunai de rahi thi. 5-10 minute vahin khade rehne ke baad aur baar baar ghanti bajane ke baad bhi jab koi jawab nahi aaya toh maine vaapis lautne ka faisla kiya. Shayad vo ghar par nahi thi aur jis tarah ke import export aur real estate ka uska business tha, uska toh office bhi khulta raat ko hi hoga.
main palat hi raha tha ke meri nazar ek aisi chiz par padi jo main pehle andhere ki vajah se dekh nahi paya tha . Geetanjali ke ghar ka darwaza automatic tha yaani vo ghar ke andar se button dabaati aur darwaza apne aap ek aur slide hota chala jata, theek Maruti omni van ke darwaze ki tarah aur phir 90 seconds baad apne aap band hone lagta , basarte ke ander se kisi ne kholne wale button ko daba na rakha ho.
Is waqt darwaza band toh tha par poori tarah nahi, Matlab ke jahan use jakar deewar se mil jana chahiye tha vahan neeche ek pepsi ki 500ml wali bottle zameen par padi thi jiski vajah se darwaza poora band nahi tha .
Mera matha thanka . Maine jhuk kar pepsi ki bottle ki taraf dekha aur haath laga kar darwaze ko khulne wali disha mein dhakela . Ek halke se zor ke saath hi darwaza phir phir poora khulta chala gaya. Maine neeche giri bottle uthayi aur ghar ke andar daakhil hua. Aur yahin mujhse meri sabse badi galti hi gayi.
Andar dekhne ke baad main thodi der vahin lawn mein andhere mein khada raha. Poora ghar andhere mein dooba hua tha par livin room ki lights jali hui thi. Dekhne se yun toh kuchh bhi galat nahi tha aur ye bhi mumkin tha ke vo bottle vahan galti se gir gayi ho par jaane kyun mujhe lag raha tha ke kuchh gadbad hai aur apne dil ki tasalli ke liye main uske living room ki taraf badha.
Bahar ke darwaje ki taraf hi Uske Ghar ka main door bhi khula hua tha . Living room mein har taraf roshni faili hui thi. main ek Baar geetanjali ka naam pukara aur jawab na aane par Apne Charon taraf dekhta living room mein use jagah tak pahuncha jahan aakhri baar tab baitha hua tha jab usse Milne aaya tha.
Samne table par ek wine bottle Rakhi hui thi, table par 2 glass the jinmein abhi bhi thodi wine bachi hui thi.
Ek glass par lipstick ke nishan the jinhe Dekh Kar Maine andaza lagaya ke glass jarur geethanjali ka hoga par dusra glass saaf tha. Jaahir tha ke yaha jarur Uske Kisi mehman ka raha hoga.
table par ek Ashtray Rakhi hui thi aur paas hi ek India kings cigarette ka packet aur match box rakha tha. main khud bhi ISI brand ke cigarette piya karta tha aur you samne cigarette dekh kar mujhe cigarette peene ki talab uthi. Main apni Jeb par hath mara Tu ehsaas hua ke Apne cigarette bahar gadi mein hi chhod aaya tha. Jhuk kar cigarette packet uthaya aur khola to usme ab Bhi Kai cigarette Rakhi hui thi .
Maine ek nikaal kar jalaye aur takat wapas wahi Rakh Diya.
"Geetanjali ma'm" Maine ek Baar zor se aawaz lagayi par koi jawab nahi aaya.
Main aaj aaj tak jitni baar bhi yahan aaya tha, Kabhi living room se aage Nahin gaya tha. Ek baar geetanjali ne mujhe offer jaroor kiya tha ke main Raat yahi ruk jaoon taki wo mere ehsaan ka kuch badla utar sake. main uska ishara samajhta tha ki woh kis Tarah se ehsaan utarne ki baat kar rahi thi aur main inkar Kar ke wapas chala gaya tha.
Maine nazar ghuma kar living room mein rakhe landline phone par nazar daali toh vo apni jagah par rakha hua tha . Receiver utha Kar kaan se lagaya toh dial tone Sunai nahi de rahi thi. Main janta tha ke uske is phone ki har kamre mein ek agal extension thi aur shayad unmein se hi koi ek ka receiver shayad apni jagah par dhang se rakha nahi gaya tha isliye busy tone sunai de rahi thi.
Sab kuchh apni jagah par tha. Mujhe laga ke shayad vo ghar par thi hi nahi aur Pepsi ki bottle galti se darwaze ke beech aa gayi. Cigarette ke kuchh kash laga kar maine ash tray mein bujhayi aur vaapis jaane ko mudha hi tha ke kuchh aisa nazar aaya jis se mere kadam jahan the vahin ruk gaye. Living room mein khade khade ghar ka ek aur darwaza nazar aata tha. Kyunki main kabhi isse aage nahi badha tha toh janta nahi tha ke vo darwaza kisi kamre ka hai, bathroom ka ya kitchen ka par is waqt vo darwaza bhi khula hua tha. Jis cheez ne meri nazar ko pakda tha vo tha us darwaze se behkar bahar aata ek taral padharth. Living room ki roshni halki halki us darwaze tak bhi pahunch rahi thi par itni nahi ke jahan main khada tha vahan se bataya ja sake ke vo taral padarth kya tha. Par phir bhi itna toh kaha ja sakta tha ke vo gaadha tha isliye pani nahi ho sakta tha aur rang mein ya toh gehra laal tha ya kala. Dhadakte dil ke saath maine kadam aage badhaye aur aur us darwaze tak pahuncha Vo darwaza kitchen ka tha aur uske saamne pahunchte hi mujhe mere sawal ka jawab mil gaya. Vo taral padarth khoon tha jo kitchen mein giri padi Geetanjali ke shareer se behkar nikal raha tha.
Maine zindagi mein isse pehle bhi kayi baar dead bodies dekhi thi par vo aksar ya toh morgue mein hoti thi, ya kisi hospital mein, ya kisi police station mein ya phir mauka-e-wardat par jahan mujhse pehle kayi policewale maujood hote the.
Ye pehli baar tha ke main akela khada tha aur mere saamne ek laash padi thi. Pehli baar aisa hua tha ke main mauka-e-wardat par pahunchne wala pehla insaan tha. Jaisa ke aisi situation mein pehli baar padne wale har insaan ke saath hota hai, mujhe bhi ek pal ko toh samajh nahi aaya ke kya karun. Par phir dimag waqti jhatke se fauran bahar nikla aur mujhe ehsaas hua ke main sidha is baat par pahunch gaya ke vo mar chuki hai. Ye bhi toh ho sakta hai ke vo zinda ho.
Vo karwat par giri padi thi aur chehra meri taraf tha. Maine fauran neeche beth kar uske kandho ko pakda aur halke se hilaya.
"Geetanjali"
Aur vo dheere se mere hilane ke karan poori tarah ulti ho gayi. Aur iske saath hi mujhe yakeen ho gaya ke vo mar chuki hai aur maut ki vajah, yaani ke uski kamar ke nichle hisse mein ghusa hua chaaku jo ab bhi aadha uske shareer mein aur aadha uske shareer se baar tha, saamne aa gayi.
Màin neeche ukdu betha hua tha aur uske shareer mein ghusa hua chaaku dekh kar thoda hadbada gaya. Pichhe ko hat-te hue mera pair neeche zameen par beh rahe khoon mein pad gaya aur main phisal
kar gir pada. Nateeja, mere pent, haath aur kohniyan uske khoon mein san gayi. Apne aapko sambhal kar main utha aur thoda pichhe hokar khada ho gaya. Mere haathon par laga uska khoon ab bhi halka halka garam tha yaani ke usko mare zyada waqt nahi hua tha. Kitchen mein deewar par ek phone laga hua tha jiska receiver neeche latak raha tha. Shayad vo marne se pehle kisi ko madad ke liye phone karna chah rahi thi par aisa kar nahi paayi. Aur yahi vajah thi ke mujhe baar baar uska phone busy mil raha tha.
Maine apna phone nikala aur police ka number milate hue vaapis living room mein aaya. Phone milne par pehli ghanti baji hi thi ke mujhe living room mein lage sheeshe mein apna aks dikhayi diya aur maine fauran call disconnect kar di. Main poora uske khoon mein sana hua tha, is waqt uske ghar par akela tha aur is waqt police ko bulane ka matlab tha ke sawal jawab ke ek aise bhanwar mein phasna jo jaane kab tak chalta rehta. Geetanjali Thakkar ek kaafi pahunchi hui aurat thi toh uska case kaafi uchhalne wala tha aur agar main is halat mein police walo ko yahan milta toh mere agle kuchh din sirf police station ke chakkar kaatne aur apni kahani baar baar unko sunane mein guzarne wale the. Maine faisla kiya ke uski maut ki soochna police ko bahar kisi phone se ek anjaan aadmi ban kar de doonga.
Ghar se bahar nikal kar main main‘gate par aaya toh mujhe apni galti ka ehsaas hua. Maine andar jaate hue us Pepsi ki bottle ko utha liya tha jiski vajah se ab darwaza poori tarah band tha.
"Damn it" Maine apne aap se Kaha.
Ye zaroor tha ke darwaza ghar ke andar hi kisi button se khulta tha par problem ye thi ke mujhe pata nahi tha ke iske controls kahan hain. Vo Button ghar ke kis hisse mein hai jo is darwaze ko kholta hai. Maine vahin darwaze ke dono taraf dhoondha ke shayad yahan bhi koi kholne ke liye control laga ho par kuchh nazar nahi aaya Ab ek hi tareeka tha ke ghar ke andar jakar darwaze ko khola jaaye par aisa main karna nahi chahta tha. Kaun jaane darwaze ke controls kholne mein mujhe kitna waqt lage aur filhal main jaldi se jaldi yahan se nikal jana chahta tha.
Darwaze ko do kadam pichhe hatkar dekha toh vo ooncha toh tha par bahut zyada nahi aur beech mein bars lage hue the jinko pakad kar aasani se uper chadha ja sakta tha. Maine apni shirt jeans se bahar tuck out kari, bars ko pakad kar darwaze ke uper chadha aur doosri taraf kood gaya Sadak par sannata tha. Maine ek nazar dono taraf ghumayi ke kisi ne mujhe dekha toh nahi aur aakar apni gaadi mein beth gaya. Ghadi par nazar daali toh raat ke 12 bajne wale the.
 
Member
312
78
28
Chapter 11
The Murder Suspect

Phone ki ghanti baji toh meri aankh khuli. Pehli nazar maine ghadi ki taraf daali. Subah ke 3 baj rahe the. Call Khan ki thi.
"Itni raat ko kya ho gaya?" Main phone uthate hue puchha.
"Kahan hai tu?" Doosri taraf se uski bahut dheemi aawaz aayi, jaise vo phone apne munh phone ke bahut kareeb karke neechi aawaz mein phusphusa raha ho.
"Ghar pe aur kahan. So raha tha" Maine jawab diya.
"Tera dimag kharab hua hai?" Nikal vahan se, abhi isi waqt" Doosri taraf se aawaz aayi.
"Niklun? Kahan ke liye niklun?"
"Kahin bhi ja jahan chhup sakta hai tu. Policewale tujhe arrest karne ke liye pahunchte hi honge"
"Arrest, mujhe? Kyun?" Meri neend achanak gayab ho gayi aur main bistar par tankar beth gaya.
"Achha ye bhi main hi bataoon? Ye jo tu yahan kaand karke gaya hai iske jurm mein"
"Kaand? Kaun sa kaand?"
"Ya toh tu ban raha hai ya tu bahut bada bevakoof hai. Geetanjali Thakkar ke ghar jokarke gaya hai vo Kaand" Usne phir dheemipar gusse se bhari aawaz aayi.
"Wait a minute. Unhen lagta hai ke maine mara use? Abey maine hi toh phone karke police ko inform kiya tha"
"Baat karne ka waqt nahi hai. Nikal vahan se abhi isi waqt. Baad mein baat karunga main tujhse"
"Lekin main kyun bhaagun jab maine kuchhkiya hi nahi?" Maine kaha par tab tak main khud bhi uthkar apni almari se kapde baharnikalne laga tha, pehenkar bhaagne ke liye.
"Abe batane ka waqt nahi hai par itna jaan le ke yahan jitne saboot hamein aadhe ghante ke andar andar mil gaye hain unke rehte tu mar jaayega court mein ye saabit karte karte ke tune kuchh nahi kiya. Filhal nikal, kal baat karte hain" Kehkar usne phone kaat diya.
Maine jaldi se apna phone table par rakha aur ek jeans aur T-shirt daali. Apna wallet uthaya, dawaiyan uthayi, phone jeb mein daala aur ghar band karke sidhiyon se neeche utara.
Apne instincts ko follow karte hue main sidha bhaag kar apni gaadi mein beth gaya. Gaadi start karke gear mein daali hi thi ke khyaal aaya ke kal tak har police check post par is gaadi ka number aur model available kara diya jaayega. Gaadi band karke main bahar nikla aur paidal hi gali ke kone par jakar andhere mein khada ho gaya.
Khan sahi keh raha tha, mujhe zyada intezaar nahi karna pada. 15 minutes ke andar andar police ki 3 gaadiyan mere ghar ke bahar khadi thi, mere ghar ka darwaza toda ja chuka tha aur meri gaadi ke aas paas kam se kam 5 policewale khade the.
Main chup chap palta aur andhere mein paidal hi ek aur chal pada. Mujhe koi idea nahi tha ke main kahan ja raha hoon aur abkya karna chahiye. Yun toh kai policewalo se meri dushmani rahi thi jinmein se Joshi ek tha par kabhi aisa nahi hua ke mujhe police se bachkar bhaagna pad raha ho. Zindagi mein itna kuchh ek saath pehli baarho raha tha ke mujhse sambhalna mushkil ho raha tha.
Koi aadhe ghante tak main yun hi sadkon par bhatakta raha, sochte hue ke ab kya karna chahiye. Bukhar toh mujhe nahi tha par kamzori kaafi mehsoos ho rahi thi. Ek jagah sadak ke kinare mujhe ek bench dikhai di, jaisi ke aksar bus stand aur parks mein bani hoti hai. Us bench ke aas paas uswaqt poori tarah andhera tha. Maine apni chaaron taraf ek saavdhani bhari nigah phirayi aur jakar Bench par beth gaya.
Aur phir ek ek karke mujhe meri vo saari bevakoofiyan yaad aani shuru hui jo main us raat karke aaya tha. Koi hairat nahi thi ke Khan ne mujhe bhaagne ko kaha kyunki apne liye phaansi ka phanda toh maine khud taiyyar kiya tha.
Cigarette ka packet. Uspe mere finger prints.
Vo aadhi pi hui cigarette ka butt jo ash traymein milega, phir se mere finger prints.
Geetanjali ke khoon mein mere haathon aur jooton ke nishan.
Uske darwaze par mere khoon se sane finger prints.
Aur koi hairat ki baat nahi thi agar kisi ne mujhe darwaza kood kar paar karte dekha ho.
Aur meri sabse badi bevakoofi, police ko mere ghar par mere khoon mein sane mere kapde jo maine washing machine mein daal diye. Aur jo ke main jald-baazi mein uthana bhool gaya tha.
Khan sahi keh raha tha, in sab sabooton ke rehte meri umar beet jaayegi ye saabit karte karte ke main begunah hoon.
 
Member
312
78
28
Hadbadi aur ghabrahat ka daur guzra toh maine apne khyaal ek saath jodne shuru kiye. Us shaam Geetanjali ne mujhe phone kiya par us waqt main Bijli ke saath dinner kar raha tha toh maine call receive nahi ki. Uske baad usne mujhe message kiya ke vo Saanwli wale case mein mujhe kuchh information dena chahti hai. Ye kareeb 9 baje ki baat thi. Uske baad main uske ghar par 11 baje pahuncha tha yaani jo hua in 2 ghanto mein hua. Aur vahan pahunch kar qatil jo koi bhi tha par uski mushkil maine aasan kar di, khoon ka ilzaam apne sar lekar.
Geetanjali jis tarah ke dhandhe mein thi usmein galat logon ke saath uthna bethna aam baat thi, kisi se dushmani bhi aam baat thi aur mumkin tha ke use uske kisi dushman ne mara ho par jaane kyun mera dil baar baar ye keh raha tha ke use isliye mara gaya hai kyunki usne mujhe phone kiya.
Maine apni soch ka silsila is baat ki taraf moda ke mujhe filhal is waqt kya karna hai.
Apna phone nikal kar maine Nisha ka number milaya par phir irada badal kar apna phone off kar diya taaki mujhe iske zariye track na kiya ja sake. Bench se chandkadam ki doori par hi ek Phone Booth bana hua tha. Us phone se maine Nisha ka number milaya.
"Sir?" Uski neend mein doobi aawaz aayi"Kya time hua hai?"
"Nisha sun. Neend se jaag. Kuchh zaroori baat batani hai" Maine kaha.
"Haan jaag gayi. Itni raat ko, kya ho gaya?"
"Meri baat sun. Kal se office mat jana"
"Kyun?"
"Poori baat abhi nahi bata sakta par kal se samajh le ke tu ek lambi chhutti par hai"
"Kyun? Kab tak?"
"Pata nahi kab tak. Maine phone karta rahunga tujhe. Aur sun, agar policewale puchhen toh kehna ke kyunki teri mangni aur shaaid ki taiyyari chal rahi hai isliye tu chhutti par hai. Kisi ko mat batana ke maine raat ko tujhe phone kiya tha ya filhalteri mujhse baat hui thi. Tune aaj se 2 din pehle se hi chhuti li hui thi"
"Sir meri samajh mein kuchh nahi aa raha. kya keh rahe ho? Kaun policewale?"
"Jitna keh raha hoon filhal utna kar. Baad mein phone karunga tujhe. Palatkar is number par phone mat karna kyunki ye phone booth hai" Kehkar maine phone rakh diya.
Jo mere saath ho raha tha iska Nisha se koilena dena nahi tha. Phir bhi vo meri secretary thi aur zahir si baat thi ke police usse sawal jawab karne wali thi. Mera use jhooth bolne ke liye kehne ka maqsad sirf itna hi tha taaki main us sawal jawab ke silsile ko chhota kar sakun. Vo agar ye kehtihai ke vo pichhle 2 din se office hi nahi ja rahi aur mujhse koi baat nahi hui toh isse aage aur koi sawal nahi paida ho sakta. Us bechari ki shaadi hone wali thi aur main nahi chahta tha ke meri vajah se use koi bhi takleef pahunche.
"Auto" Maine paas se guzar rahe ek Auto koishara kiya.
Agla stop tha koi ATM jahan se mujhe jitna ho sake cash nikalna tha aur phir koi chhota sasta hotel jinki Mumbai mein koi kami nahi hai. Auto mujhe lekar aage badha toh maine apne dono haathon se apna sar thaam liya. Main bahut badi pareshani mein phans chuka tha aur mujheyakeen nahi ho raha tha ke ye saari bevakoofiyan maine ki thi.
 
Member
312
78
28
Dharavi ke ek 3rd class lodge mein room lekar maine check in kiya toh tab tak subah ke 6 baj chuke the. Lodge ke reception par ek *** saal ka ladka betha tha. Uske paasek bahut purana sa mobile phone tha jo shayad apni zindagi ki aakhri saansen gin raha tha jo use ek 500 ka note dekar mainekhareeb liya. Zaroorat ke liye main hamesha apne paas ek aur sim rakhta tha jo mere naam par registered nahi tha. Aaj pehli baar mujhe ye number use karne ki zaroorat padi thi. Sivaay Khan ke aur kisi konahi pata tha ke ye number mera hai.
Ye sim hamesha mere wallet mein hi rehtatha. Jab liya tha tab rakh diya tha aur uske baad aaj pehli baar nikala tha. Sim mobile mein dalkar maine on kiya hi tha ke 10 minbaad hi us number par Khan ki call aa gayi.
"Kabse tera number mila raha hoon. Mujhe toh laga tha ke tu bhool hi gaya ke ek doosra sim bhi de rakha hai maine tujhe" Phone uthate hi vo bola.
"Haan actually bhool gaya tha. Abhi thodi der pehle hi dhyaan aaya ke mere paas ye doosra number bhi hai" Maine kaha.
"Ab batayega ke hua kya tha kal raat?"
Maine use raat ko poori kahani sunayi.
"How can you be such a fool?" Vo gusse mein lagbhagh cheekhte hue bola "Is tarah ki bevakoofi toh koi aam aadmi bhi nahi karta aur tu toh apne aapko bada jasoos samajhta hai"
"Pata nahi kya soch raha tha main yaar. Uski laash dekhi toh bina kuchh soche samjhe vahan se nikal aaya"
"Is waqt kahan hai?"
"Dharavi ke ek lodge mein room liya hua hai"
"Ab meri baat gaur se sun" Khan bola"Policewale haath dhokar tere pichhe pad jaayenge. Ye Geetanjali Thakkar ke fans kaafi badi badi jagahon par maujood hain jinko uski maut ka tahe dil se afsos ho raha hoga. Ab tu chup chap jab tak main na kahun vahin lodge mein pada reh. Apna sar bhi khidki se bahar mat nikalna"
"Aur kya karun yahan?"
"Apni jaan bacha saale. Pada reh andar hi. TV dekh, saas bahu serials follow kar kuchh bhi kar par chhupa reh jab tak ke main ye case ka bawal tere sar se utha kar kisi aur ke sar par na daalun"
"Ye case tere paas toh nahi ho sakta" Maine kaha.
"Nahi hai par mat bhool ke main bhi policewala hoon. Karta hoon kuchh jugaad"
"Kya lagta hai kisne mara hoga use?" Maine puchha.
"Koi idea nahi hai filhal yaar par uske dushman bhi i am sure hazaar honge. Lagata hoon main pata"
"Tujhe lagta hai iska Saanwli ke case se koi lena dena hai?"
"Mere bhai tu filhal Saanwli ko bhool ja aur apni jaan bacha. Baad mein dhoondh lena use."
Khan ke phone rakhne ke baad main kamrese nikal kar phir reception par aaya. Vahan ab bhi vahi ladka betha tha jisse maine phone kharida tha. Vo gardan jhukaye koi kitaab padhne mein magan tha.
"Mere kamre mein ek cup chaai aur kuchh khaane ko le aana" Maine sidhiyon ke paas se hi aawaz di.
"Idhar naukar nahi laga hai koi kisi ka. Jo laane ka hai bahar jaake khud leke aao" Vo bina gardan uthaye bola.
"All right" Maine jawab diya "Yahan idhar khaane ko achha kahan milega paas mein?"
Usne gardan utha kar meri taraf dekha aur mujhe dekhte hi fauran uth kar khada ho gaya. Chehre par muskaan khil aayi.
"Arrey aap kaahe ko takleef karta hai sahab. Apun laake dega na aapko. Bolo kya maangta hai?"
Shayad use mera diya 500 ka note yaad aa gaya tha aur ummeed kar raha tha ke merisewa karega toh tip bhi achha milega. Sachkahun toh mujhe bhi is baat se koi etraaz nahi tha, vo mere kaam aa sakta tha.
"Ek cup chaai le aao aur kuchh khaane ko, chatpata sa" Maine use kuchh paise dete hue kaha. Bukhar ki vajah se mere munh kataste ab tak kharab tha aur mera dil kuchh teekha khaane ko kar raha tha.
"Aap kamre mein chalo sahab. Apun abhich leke aata hai" Kehkar vo lodge se bahar nikal aaya.
Kamre mein vaapis aakar main nazar ghadi par daali. Mujhe ummeed thi ke is waqt tak Nisha jaag gayi hogi. Maine use phone milaya.
"Main bol raha hoon" Pehli ghanti par hi usne phone utha liya toh maine kaha.
"Oh thank god" Doosri taraf se uski aawaz aayi "Main jabse aapka phone aaya hai tabse soyi nahi hoon. Ek baar aapka number bhi milane ki sochi par phir aapne mana kiya tha toh nahi kiya. Kya keh rahe the aap subah? Hua kya?"
Maine ek baar phir kal raat ki ghatnayen dohra di.
"Oh shit" Baat poori hone par vo boli "Abhi ho kahan aap?"
"Dharavi ke ek lodge mein hoon"
"Ab?"
"Ab soch raha hoon ke aage kya karna hai. Phone karunga main tujhe baad mein. Tu ek kaam karna. Aaj sara din ghar se bahar kahin nikalna nahi. Ghar par hi rehna. Aur policewale aayen toh vahi kehna jo maine kal raat bataya tha"
"Ke main pichhle 2 din se chhutti par hoon aur aapse meri koi baat nahi hui?"
"Haan"
"Theek hai"
"Main aaj raat ko tujhe phone karunga"
"Ye number aapka hi hai?"
"Haan par tu galti se bhi phone mat karna. Main hi karunga"
Nisha se baat karne ke baad main phir sochmein pad gaya. Mujhe Khan par poora yakeen tha ke vo kuchh na kuchh karke ye museebat mere sar se hata dega. Ham dono bachpan se hi bahut kareeb the aur iswaqt ek vahi tha jis par mujhe poori tarah bharosa tha. Filhal sirf itna hi karna tha jab tak vo koi raasta nikale mujhe policewalo ke haath mein nahi padna.
Tabhi vo ladka ek cup chaai aur 2 samose lekar aa gaya. Vo table par rakh kar usne apni jeb se change nikal kar meri taraf badhaya.
"Tum rakh lo" Maine muskurate hue kaha.
"Thank you sahab" Usne bhi palat kar daant dikhaye aur jaane laga.
"Ek minute ruko" Maine toka aur jeb se ek aur 500 ka note nikala "Mera ek kaam karoge?"
"Haan sahab. Aap jo bhi bolo" 500 ka note dekhte hi uski aankhon mein phir chamak aa gayi.
"Yahan tumhare alawa aur kaun hota hai?"
"Apun ich rehta hai sahab. Apna mama hai par vo full tight rehta hai toh kabhi idhar aata ich nahi toh apunich sambhalta hai"
"Hotel mein koi aur bhi hai?"
"Kya sahab" Vo hasta hua bola "Idhar koi rehne ko thode aata hai. Idhar sab kahin sadak se koi dhandhe wali leke kuchh ghante ke liye aate hain bas"
"Gud" Maine kaha "Toh ab meri baat gaur se suno. Jab tak main yahan hoon bas yun samajh lo ke nahi hoon. Kisi se kuchh nahi bolna aur koi puchhta hua agar aa jaaye toh pata hai na ke kya kahoge ?"
"Ke aap idhar ho ich nahi" Vo mere haath se 500 ka note lete hue bola.
 

Top