Thriller DARK GIRL ~The vampire~(COMPLETED)

Member
312
78
28
Agle din subah ek baar phir meri aankh Saloni ke phone se khuli.
"Kuchh information toh mili hai but i am notsure ke kitni valid hai. Filhal pata lagane ki koshish kar raha hoon" Usne puchha toh maine jawab diya.
"Kya pata chala?"
"Aapki behen jahan kaam karti thi us jagah ke baare mein" Maine bataya.
"Kahan kaam karti thi?"
"Ek jagah waitress ka kaam karti thi vo"
"Waitress? Kisi restaurant mein?" Uski aawaz mein hairat saaf jhalak rahi thi.
"Nahi actually ek bar mein"
"Bar mein?" Is baar hairani kuchh zyada thi."Thats not possible"
"Matlab?"
"Meri behen sharab peeti hi nahi thi"
"Saloni ji vo sharab nahi peeti thi iska matlab ye nahi ke vahan waitress ka kaam nahi kar sakti thi" Maine kaha.
"I am sorry. I am just a little surprised. Vo yahan ham sabki marzi ke khilaff gayi thi kekuchh bada karegi, career banayegi aur jakar bani ek waitress?"
Is sawal ka mere paas koi jawab nahi tha.
Uske phone rakhne ke baad main apna din ka agenda sochne laga. Mujhe is waqt bhi bukhar tha aur ab kamzori ka aalam ye tha ke mujhe subah subah khade hote hue bhi chakkar aa rahe the. Haar maan kar maine us din ke apne agenda mein sabse pehle ek Doctor ke paas jana add kiya.
Hostel ke watchman ke paas se ab tak koi phone nahi aaya tha. Main use apna numbertoh de aaya tha ke kuchh pata chale toh mujhe phone kare par usse uska number lena bhool gaya tha. Din mein uske paas jaane ka koi matlab nahi tha kyunki vo shaam 5 baje apni duty khatam hone se pehle baat karne wala nahi tha.
Khan ke paas se bhi ab tak koi call records ke baare mein kuchh information nahi mili thi toh kul mila kar mere paas ek hi lead bachti thi, Bijli.
Aur uska naam dhyaan aate hi mujhe kal apni Sharafat ke saath hui mulaqat yaad aa gayi. Subah se hi uthne ke baad ek baar bhi mera dhyaan us taraf nahi gaya tha, mujhe yaad hi nahi aaya tha ke meri mulaqat kal Sharafat Bhai se hui thi.
"Ab aap us ladki ko nahi dhoondhenge"
Sharafat ki ye baat yaad aate hi dimag mein jaise hazaron sawal uthne lage. Vo ek bahut pahuncha hua gunda tha, ek achha khasa drugs aur prostitution ka racket chalata tha, usko ladkiyon ki koi kami nahi thi. Phir ek mamuli aam si dikhne wali ladki ke pichhe kyun itna bada bawal ke vo mujhedhamki dene aa pahuncha tha ke main use talash na karun.
Maine phone utha kar Chipku ko milaya.
"Kaise ho Adi Bhai?" Call connect hone par uski aawaz aayi.
"Theek hoon. Tera kal wala andaza theek nikla" Maine jawab diya.
"Kaun sa andaza?"
"Sharafat Bhai wala"
"Bole toh?"
"Bole toh ye ke main parso vo ladki ko dhoondhne gaya tha na udhar Bar mein"
"Haan"
"Haan toh kal Sharafat Bhai mujhe dhoondhta mere ghar aa pahuncha"
"Kya baat kar rahe ho. Phir?"
"Phir mujhe dhamki deke gaya ke main uskijagahon par soonghna band karun"
"Bas?"
"Ab aur kya ek goli mujhe tohfe mein maarke jata?"
"Hona toh yahi chahiye tha Adi Bhai. Bahut kismet wale ho ke sirf dhamki mili. Vaise ek baat batao, Sharafat Bhai khud aayele the?"
"Haan. Kyun?"
"Us ladki ka koi na koi toh bada raada raha hoyenga jo ki Bhai khud pahunch gayele udhar aapki kholi par. Socho Adi Bhai, ek mamuli chhokri ke pichhe kaahe ku Bhai itnitakleef lenge ke aapko private mein jakar hool dein? Khali 2 aadmi bhi toh bhej sakte the aapka game bajane ko"
"Baat toh teri sahi hai"
"Aap apun ke baare mein toh kuchh nahi bole na?"
"Nahi chinta mat kar. Vaise sun, teri vo Bijli koi phone vone rakhti hai kya? Tere paas hai number?"
"Kaahe ku?"
"Arrey baat karunga usse jaake"
"Aap abhi bhi us ladki ko dhundoge?"
"Haan"
"Adi Bhai aag se khel rahe ho. Agli bar Sharafat bhai dhamki nahi kuchh aur hi deke jaayenge"
"Yeah i know. Tu vo chhod, mere sawal ka jawab de"
"Nahi mere ko nahi pata uske baare mein. Phone rakhti hoyengi toh mere paas number nahi. Janta nahi main use"
Yaani ab sirf ek hi option tha. Mujhe Sharafat Bar jakar hi use dhoondhna padega.
"Adi Bhai, zara sambhal kar" Phone par Chipku ki aawaz aayi.
 
Member
312
78
28
Doctor ke saath mulaqat chhoti hi rahi, usne ek baar haath pakda, ek baar munh mein jhanka, ek baar meri aankhon mein jhanka aur ek kagaz par 56 alag alag tarah ke tests likh kar de diye.
"Road ke end par hi ek lab hai. Aap vahan ye test kara sakte hain"
Main uski batayi lab par gaya, blood sample aur urine sample diya aur mujhe shaam 4 baje ke baad aakar reports lene ke liye keh diya gaya. Vahan se nikal kar main sidha Sharafar Bar pahuncha.
Bar ke bahar main koi aadhe ghante apni gaadi mein hi betha raha. Vajah 2 thi. Pehli toh ye ke Sharafat Bhai se mili dhamki ke baad phir Bar mein jana khatarnaak saabit ho sakta tha. Ye mumkin tha ke mujhe vahin andar hi utha kar sidha Sharafat ke huzoor mein pesh kar diya jata ya phir koi mujhe vahan dekh leta aur vo ek baar phir mere gareeb-khane par aa khada hota.
Doosri ye ke main ummeed kar raha tha ke shayad mujhe Bar ke bahar hi Bijli kahin dikhai de jaaye. Par pareshani ye thi ke mujhe pata hi nahi tha ke vo vahan kis waqt aati thi.
Aadhe ghante intezaar karne ke baad maine Bar ke andar jaane ka faisla kiya. Car ke dashboard se maine apni revolver nikali, shirt ke neeche apni pent mein phasayi aur ek baar chaaro taraf saavdhani bhari nazar daalkar andar daakhil ho gaya.
Andar sab kuchh vaisa hi tha jaisa ke main kayi barson se dekh raha tha. Log bethe sharab pi rahe the, Ladkiyan serve kar rahi thi par dance floor par koi ladki nahi thi. Ye programme shayad shaam ko hi hota tha.
Main ek table par jakar beth gaya. 2 min baad hi ek ladki mera order lene ke liye aa gayi.
"Ek beer la dena"Maine kaha.
"Khane ko kuchh?"Usne puchha toh maine inkaar mein gardan hila di.
"Suno?"Order lekar vo palat hi rahi thi ke maine use pichhe se pukara"Mujhe Bijli se milna hai"
Shayad us jaisi jagah par ye ajeeb baat nahi thi ke koi aadmi kisi ladki ke baare mein puchh raha hai. Vahan toh shayad ye roz-marra ki baat hoti hogi.
"Shaam ko aati hai vo"
"Uska koi phone number vagerah?"
Mere is sawal par us ladki ne ajeeb nazar se mujhe dekha.
"Mera ek kaam karogi please?"Maine apni jeb se ek pen paper nikala aur apna phone number likh kar us ladki ko diya. Yun toh meri jeb mein mera visiting card bhi tha par vo dena khatarnaak ho sakta tha"Bijli ko ye number de dena mera aur kehna ke mujhe phone kar le. Bolna ke Aditya Sharma aaya tha"
"Kaahe ko karegi main aisa"Us ladki ne paper mere haath se liya hi nahi aur khadi mujhe dekhti rahi.
"Kyunki ismein tumhara bhi fayda hai"Maine apni jeb se ek 500 ka note nikal kar uski taraf badhaya.
"Theek hai. Beer leke aati hai main"
"Nahi rehne do"Main chair se uth khada hua"Bas ye number Bijli ko de dena please"
Main apni car mein aakar betha hi tha ke phone baj utha. Call ek unknown number se thi.
"Bijli bol rahi hoon"Phone uthane par doosri taraf se aawaz aayi.
"Wow"Maine dil hi dil mein socha."Kaafi jaldi dikhayi us Bar wali ladki ne"
"Aaj mujhe kaise yaad kiya?"
"Kaam hai tumse kuchh"Maine kaha.
"Achha?"Usne hairat se puchha"Mahan Aditya Sharma ko mujh jaisi ladki se kya kaam ho sakta hai? Jis tarah ka kaam main soch rahi hoon kahin vo toh nahi"
"Bilkul nahi"Main janta tha ke vo kis taraf ishara kar rahi hai"Kuchh aur kaam hai"
"Sach mein? Vaise ek baat bataoon. Jo raat tumne mere saath bitayi thi us raat tum nashe mein the isliye kuchh yaad nahi. Agar yaad hota kuchh toh ma kasam, har raat Bijli ke pehlu mein hi bitate"
"Ab kaam ki baat kar lein kuchh?"Maine uski baat ko ansuna karte hue kaha.
"Tum bhi kamal karte ho. Main pyaar mohabbat ki baat kar rahi hoon aur tum kaam ki baat. Tum mard hote hi aise ho"
"Kaam ki baat"Maine uski baat ka mazak udaate hue kaha"Jahan tak mujhe yaad padta hai, ye pyaar mohabbat bhi toh tumhare liye ek kaam hi hai. Iske hi toh paise leti ho tum"
"Kyun, tumse kitne liye the maine?"
Usne kaha toh mujhe yaad aaya ke us raat usne mujhse koi keemat nahi li thi. Mere purse mein jitne paise raat ko the, subah bhi utne hi the. Ek paisa kam nahi tha.
"Vaise kabhi kabhi toh mujhe tumhara mamla gadbad lagta hai"Vo phir usi baat ko aage badhate hue boli"Ulti toh nahi chalti na tumhari cycle? Meethe ho kya?"
Main janta tha ke uska ishara kis taraf tha. Ek baar phir maine uski baat ansuni kar di.
"Mil sakti ho? Kuchh baat karni thi tumse"
"Tere liye toh jaan haazir hai meri jaan, tum bas ishara karo ke kahan deni hai"
"Kahan mil sakti ho?"
"Apne ghar ka address boli. Main pahunch jaoongi"
"Nahi"Maine fauran jawab diya"Ek restaurant ka naam batata hoon vo likho. Aaj raat ko dinner yahin saath mein karte hain"
"Kyun, main ghar aaoongi toh bura lagega?"
Maine uski baat ka koi jawab nahi diya aur Restaurant ka naam aur address bolne lag gaya.
"Theek hai. Kitne baje milna hai?"
"Raat 8 baje theek hai?"
"Pahunch jaoongi"Bijli ne jawab diya.
 
Member
312
78
28
Bijli se baat karne ke baad maine pehle socha ke ghar jakar aaram karun par phir khyaal aaya ke thodi der baad mujhe jakar apni medical reports collect karni thi. Irada badal kar main ghar jaane ke bajaay apne office ki taraf chal pada.
"Aaiye meharbaan, bethiye saaheban"Mere office mein daakhil hote hi Nisha mujhe dekh kar gaane lagi.
"Is gaane ke aage ki lines pata hai na?"Main apni seat par jakar beth-ta hua bola"Shauq se lijiye ji, ishq ke imhtehaan"
"Haan toh le lejiye. Aapke har imtehaan ke liye bandi haazir hai"Vo apni jagah se uthkar meri desk ke saamne wali chair par aa bethi.
"And what would your fiance think of that? Agar main tere ishq ke imtehaan lene betha toh?"
"Aap hukum kijiye sir, aapke uper aise hazaar fiance qurbaan"Vo bade hi naatkiye ada ke saath boli.
"Oh really?"Maine bhi usi ke andaaz mein puchha.
"Aur nahi toh kya sir. Vo toh aapne ishara nahi kiya varna is fiance ka number toh aana hi nahi tha. Main toh bas vahan apni kursi par bethi aapka intezaar karti rahi par aapke karam ki nazar kabhi hamari taraf uthi hi nahi"Vo filmi style mein maathe par apna haath rakhte hue boli.
"Kya chahiye?"Main sidha matlab ki baat par aaya"Chhutti leni hai?"
"Dekha"Vo table par haath maarte hue boli"I rest my case. Main ishq mohabbat ki baat kar rahi hoon aur aap kaam ki. Isi liye toh meri aur aapki kahani adhuri reh gayi"
"Kab chahiye chhutti?"Main uski baat ko nazar andaaz karta hua bola"Assuming ke tu ye drama queen chhutti maangne ke liye hi bani hui hai"
"Kal"Vo bhi sidhi hokar bethte hue boli.
"Theek hai"Maine ek cigarette jalate hue kaha"Toh aise hi maang leti. Ye ishq ki maari Laila kyun bani hui thi"
"Arrey subah se bethi bore ho rahi thi. Aap aaye toh socha ke thoda hasi mazak ho jaaye par aap ho ke sidha kaam ki hi baat karte ho. Isi liye single ho aap"
"Kya matlab?"
"Matlab ke main ishq pyaar mohabbat ki baat kar rahi hoon aur aap kaise khadus ki tarah ignore kar rahe the. Isi liye koi ladki nahi phasti aapse"
"Ladki toh mujhse vaise hi koi nahi phasti, khadus or no khadus"
"Vaise sochne wali baat hai ye. Dikhne mein achhe bhale ho, kaafi adventurous sa work profile hai phir bhi single, aisa kyun?"
"Pata nahi yaar"
"Koi nazar mein ho toh batao, main baat chalati hoon"Vo aankh maarte hue boli.
"Nahi koi nahi hai yaar. Meri life mein ladki ke naam par bas ek tu hi hai aur tu shaadi karne wali hai"Maine bhi palat kar aankh maari.
"Aapne der kar di na, pehle ishara kar dete. Vaise abhi bhi zyada der nahi hui hai, ab bhi chaho toh main saath chalne ko taiyyar hoon"
"Aur tera mangetar?"
"Kaha na, aap par aise hazaar qurbaan"
"Phir shuru ho gayi? Chhutti ke liye haan bol diya maine, remember? Vaise kya plan hai kal ka?"
"Mangetar sahab lunch par kahin le jana chahte hain"Usne bataya"Vaise mere alawa bhi ek aur ladki hai filhal aapki life mein"
"Kaun?"
"Saloni"
"Shut up"
"Why?"
"She is a client"
"A client which is kind of hot. Shakat soorat ok types hai par baaki ka saman kaafi achha hai"
"Would you shut up?"Maine haste hue kaha"Main single hi theek hoon filhal"
"Kab tak. Shaadi kar lo. Umar ho rahi hai. Aise single bethe rahe toh kuchh time baad shaadi ke liye ladki milne wali hi nahi koi"Vo uthkar vaapis apni jagah par chali gayi.
Uski kahi baat ne jaise mere dimag mein tubelight jalane ka kaam kiya.
"Ek kaam kar"Maine sochte hue kaha.
"Baat chalaoon Saloni se?"Vo fauran palat kar phir meri desk par aa gayi.
"Nahi. Marriage beuro mein jo hamara contact tha, kya naam tha uska .... haan Ismail, vo ab bhi hai right?"
"Haan"
"Contact kar use. Usko bol ke Saanwli Mitra ke naam se zara check kare"
"You think she was married?"
"Could be. Vo apna saman kahin shift kar rahi thi and hamne ye assume kar liya tha ke vo kisi ladki ke saath live in relationship mein thi. Ye bhi toh ho sakta hai ke kuchh shaadi vaadi ka chakkar ho"Maine kaha.
"Ek shaadi jiske baare mein uske gharwalo tak ko nahi pata?"
"Hey i know its a long shot. Probably a false trail but worth trying, right? Check karne mein kya jata hai"
"Yeah i gues you are right. I will call him"
Nisha uthkar vaapis apni jagah par gayi hi thi ke mere phone ki ghanti baji. Call Khan ki thi.
"Tu aaj kal mujhe bada phone karne laga hai"Maine phone utha kar kaha"Pehle hafte mein kabhi ek baar phone karta tha aur aaj kal din mein 2-3 baar ghanti baja deta hai"
"Yeah i know"Doosri taraf se uski aawaz aayi"Kuchh na kuchh aisa hota rehta hai ke teri ghanti khadkani padti hai"
"Ab kya hua?"
"Guess kar ke Joshi ke baad uski jagah kaun aa raha hai"
"Kaun?"
"Main"
"Tu?"
"Haan. Mera transfer uske police station mein kar diya gaya hai. Uske baad ab main vahan ka charge le raha hoon"
"Matlab ab ....."
"Exactly"Usne meri baat poori kar di"Matlab ab Saanwli ka case officially mere paas hai
 
Member
312
78
28
Nahi main vo nahi keh raha tha. Khair, par ye hua kaise?"Maine puchha
"I dunno. Mujhe abhi call aayi ke kal se mujhe Joshi ki jagah charge lena hai. Apparently Joshi Sahab ki desk par kaafi cases jama ho gaye the jinhen suljhane ke liye unhen kisi qabil officer ki zaroorat thi"Khan bola.
"And poore police department mein qabil officer ke naam par unhen ek tu hi mila bas?"
"Hey"Khan ne bura maanne ke andaaz mein kaha"Main kaam karta nahi iska matlab ye nahi ke main kaam kar nahi sakta'
"And ab tera irada kaam karne ka hai?"
"Haan. Joshi ke jama kiye cases ko main saaf karunga. Mera naam ooncha hoga aur Joshi ka neecha"
"You do know he is dead, right? Ek mare hue aadmi ka naam kharab karega?"
"Haan toh kya hua. Jab vo zinda tha toh vo mera aur tera naam kharab karne par tula hua tha. Main uske marne ke baad uska naam kharab karunga"
"Pagal hai tu saale. Achha vo numbers ke call records ka pata chala kuchh?"
"Nahi abhi toh nahi. Kuchh pata chalte hi phone karta hoon"
Joshi ki maut ka mujhe dil se afsos tha par uske baad ab Khan ke case ka charge lene se main ek sukoon ki saans bhi li. Joshi mere case ki investigation mein bahut badi rukavat tha aur main dil mein ye dua bhi kar raha tha ke ab jo koi bhi aaye, vo had darje ka kaamchor ho jise na Saanwli se matlab ho aur na uske gayab hone se. Vo bas chupchap thaane mein bethe aur mujhe apna kaam karne de.
Khan ke aane se mujhe munh maangi murad toh mili hi, saath hi Saanwli ke case ko jaise chaho investigate karo ka green signal bhi mil gaya tha.
Shaam ke waqt maine Lab se apni reports uthayi aur Doctor se milne pahuncha. Reports mein Typhoid ke symptons nikle. Doctor ne mujhe sakht salah di ke main kuchh din tak ghar par aaram karun, bahar ka na khaoon, apne aapko zyada exert na karun vagerah vagerah. Saath hi saath usne mujhe bahut saari hari peeli goliyan thama di. Clinic se nikal kar main sidha Saanwli ke hostel pahuncha.
Ek baar main paidal hostel ke saamne se guzra, guard ko aankh se ishara kiya aur shaam 5 baje ke thodi der baad hi vo mere saath meri gaadi mein betha baat kar raha tha.
"Aapko aaj phone karne hi wala tha, achha hua aap milne hi aa gaye"Vo jeb se ek paper nikalta hua bola.
"Kuchh mila?"
"Haan"Kehte hue usne mujhe vo paper ka tukda thama diya.
Paper par ek address likha hua tha. Maine padha toh vo Ahemdabad ka nikla.
"Ye kya laya hai yaar. Galat address le aaya tu. Mujhe toh pata chala tha ke vo Pune mein kahin rehti hai"
"Ham bahut dhoondhe saahib par kya kariyega, vo Maya ke naam par ektho yahi pata mila"
"Kahan mila ye?"
"Jab idhar par koi ladki rehne ke liye aati hai toh paper formalities vagerah thoda karna padta hai, matlab form vagerah bharna type. Usi par ye address tha"
"Kahan ka address hai kuchh aur likha tha form pe"
"Haan. Ahemdabad ka"
"Arrey vo toh mujhe bhi dikh raha hai. Matlab Ahemdabad mein kaun sa address hai ye, vo vahan se aayi thi, uske kisi rishtedaar ka ....."
"Unka asli ghar ka address hai"Vo meri baat beech mein kaat-te hue bola"Permanent address wali jagah par likha hua tha ye address. Aur vo Maya madam vahin Ahemdabad se thi ye hamko bhi malum hai"
"Ab uske ghar ke address ka kya karun? Barat lekar jaoon ya ....."Main achanak bolta bolta ruk gaya. Dimag ki tubelight ek baar phir jali"Kaam ho gaya. Thanks yaar. Chal jaayega isse kaam"
Maine uske kandha thapthapaya toh vo badi ummeed bhari nazron se meri taraf dekhne laga. Un nazron ka matlab main bakhubi samajhta tha. Jeb se ek 100 ka note nikal kar maine uski taraf badha diya.
Vaapis apne ghar pahunchte pahunchte mujhe shaam ke 7 baj gaye. Bijli se milne maine 8 baje jana tha yaani ab bhi ek ghante ka waqt tha. Maine Nisha ko phone milaya.
"Ghar pahunch gayi?"
"Kya baat hai, meri itni fikar? Ab main theek thaak pahunch gayi ya nahi is baat ka bhi pata kiya ja raha hai? Haaye, kahan tha ye Aditya Sharma aaj se 1 mahina pehle"
"Phir shuru ho gayi tu? Subah subah bhaang laga kar ghar se nikli thi kya jo ab tak asar hai?"
"Arrey sir nasha bhaang ka nahi aapke pyaar ka hai"
Mujhe kuchh samajh nahi aa raha tha ke subah se uske sar par ye kaun sa naya bhoot sawar ho gaya tha.
"Ab teri nautanki khatam ho gayi ho toh kaam ki baat kar lein kuchh?"
"Haan haan karo kaam ki baat Kaamdev. Kya hua?"
"Vo Maya ka address mil gaya"Maine bataya."
"Pune wala?"
"Nahi Ahemdabad ka address hai"
"Par vo shaadi karne Pune nahi gayi thi?"
"Haan shayad par ye uska original address hai jo ke even better hai. Ab tujhe ek kaam karna hai"
"Uske ghar par phone karke kuchh bahana bana kar uska Pune wala address lena hai"
"Exactly. Smart hoti ja rahi hai tu"
"Theek hai. Number forward karo. Main karti hoon phone"
"Ye ek doosri problem hai. Sirf address hai, phone number nahi hai"
"Very nice. Koi nahi, aap address forward karo mujhe. Main directory vagerah kahin check karke number nikalti hoon"
 
Member
312
78
28
Chapter 10 - The Girl Who Knew Too Much

Shaam ke theek 8 baje main Bijli ko bataye restaurant mein betha uska wait kar raha tha.
"Can i take your order sir?"Ek waiter meri table par aakar bola.
Yun toh doctor ne mujhe bahar khane se bilkul mana kiya hua tha par aisi jagah par aakar khaali bhi toh nahi betha ja sakta tha.
"Actually i am still waiting for someone to arrive"Maine muskurate hue kaha"Meanwhile, why dont you just me get me something to drink?"
"And what would you like sir?"Waiter ne mere sawal ka jawab dete hue puchha. Main janta tha ke is jagah vo sharab serve nahi karte the aur vaise bhi bimari ki vajah se mera pine ka dil bhi nahi tha.
"An orange juice would do just fine"
"I wil be back in a minute with your juice"Kehkar vo laut gaya.
Takreeban 5 min baad hi vo haath mein ek juice ka glass liye vaapis aa gaya.
"Agar kisi ko dinner par bulaya jaaye toh uska intezaar kiya jata hai Mr. Sharma"Maine Juice ka glass apne hontho ki taraf badhaya hi tha ke mere pichhe se Bijli ki aawaz aayi"Aap toh mere bina hi shuru ho gaye"
"Aur jab koi dinner par bulaye toh mezbaan ko intezaar karana bhi buri baat hai"Maine uthkar uski taraf palta aur muskurata hua bola.
"Kya baat hai?"Vo table ke doosri taraf rakhi chair par jakar bethte hue boli"Aaj sooraj kis taraf dooba hai. Aaj toh Mr. Sharma mujhe dekh kar muskura rahe hain"
"Exactly"Maine bhi apni chair par vaapis beth gaya"Kis taraf dooba hai sooraj aaj jo tumne ye Mr. Sharma Mr. Sharma ki ratt laga rakhi hai"
"Ab aapko izzatdaar aadmi banne ka shauk hai, ham jaiso ke aap munh lagte nahi toh maine socha ke sidha naam lekar bulana shayad aapko kahin bura na lag jaaye. Isliye izzat aur adab se bula rahi thi"
"Itni izzat mat do mujhe, aadat nahi hai. Kya lena pasand karogi?"Maien menu uski taraf badhaya.
"Pasand toh ye na-cheez aapko karti hai par afsos aap menu mein hain nahi"Vo aankh maarti hui boli.
Maine usi waiter ko dobara ishara kiya aur ham dono ne apni apno pasand se khana order kiya.
"You are looking good. Kaafi achhi lag rahi ho"Waiter ke jaane ke baad main Bijli ki taraf dekhta hua bola.
Aur ye baat haqeeqat bhi thi. Aaj tak maine use hamesha Sharafat Bar mein hi dekha tha aur hamesha usi behuda libaas mein jise pehen kar vahan ladkiyan naachti thi.Naabhi ke bahut neeche bandha hua ghaghra, hadh se zyada tight aur low neck blouse jispar pichhe ki side sirf baandhne ke liye doriyan hoti thi yaani kamar poori khuli hui aur gale se dupatta gayab. Aaj pehli baar maine use dhang ke kapdo mein dekha tha. Uske ek halke hare rang ka salwar kameez pehen rakha tha aur maine pehli baar is baat ka ehsaas kiya ke vo asal mein kitni khoobsurat thi.
Mujhe is baat ka ehsaas hi nahi hua ke main chup chap bina kuchh kahe ektuk use ghoore ja raha tha.
"Aise mat dekhiye Sharma ji"Vo mujhe yun ghoorta pakar boli"Thodi bahut sharam bananewale ne ham jaisi ladkiyon ko bhi bakhshi hai"
"I am sorry, i didnt mean to stare"Main baukhla sa utha"Par seriously, kaafi khoobsurat lag rahi ho"
"Thank you"Usne muskura kar jawab diya aur mujhe laga jaise mere saamne vo Bar mein nachne wali Bijli nahi balki koi aur hi ladki bethi hai.
"Naam kya hai tumhara?"Maine sawal kiya.
"Kyun aapne kisko bulaya tha yahan?"
"Come on, tumhein lagta hai ke main yakeen kar loonga ke tumhara naam asal mein Bijli hi hai?"
"Haan bilkul hai"Vo haste hue boli"Mere uper toh ek kahawat bhi bana di thi aas pados walo ne. Ke maan marr gayi andhere mein aur beti ka naam rakh gayi Bijli"
"Not funny"Maine chup chap bina hase use dekhta raha.
"Chhodiye na Sharma ji ...."
"Aditya"Maine uski baat kaat-te hue kaha.
"Theek hai, jaisa aap kahen. Chhodiye na Aditya Ji ...."
"Sirf Aditya"Maine phir baat kaati.
"Chaliye ye bhi sahi. Chhodiye ne Aditya. Naam kya ho kya farak padta hai. Farak toh sirf is baat se padta hai ke duniya aapko kya kehkar bulati hai aur mujhe duniya wale Bijli kehte hain"
"Yakeen toh mujhe ab bhi nahi hua par theek hai"Maine baat ko jaane dena hi behtar samjha.
"Arrey sach mein. Bijli hi hai. Chhukar dekho, current bhi maarti hoon"
Uski is baat par meri bhi hasi chhut gayi.
"Darr nahi lag raha?"Vo meri taraf dekhti hui boli.
"Kis baat se?"
"Yahan is public place mein mujh jaisi ladki ke saath khana kha rahe ho? Tumhare kisi pehchan wale ne dekh liya aur mujhe bhi pehchan liya toh?"
"Toh main us pehchan wale se utla ye puchhunga ke vo khud tumhein kaise pehchanta hai?"
"Baat mein dam hai"Vo muskurati hui boli.
"Vaise ek vajah se bulaya hai maine"Maine apni jeb se Saanwli ki photo nikali"Is ladki ko dekha hai kabhi kahin?"
 

Top