Thriller DARK GIRL ~The vampire~(COMPLETED)

Member
312
78
28
Vo ladki mujhe serve karne ke baad Bar ke paas bane us chhote se darwaze se andar chali gayi. Mera shaq yakeen mein tab tabdeel ho gaya jab thodi hi der baad vo us darwaze se ek aadmi ke saath vaapis aayi jo ke dekhne se us Bar ka manager lag raha tha. Vo dono mere paas toh nahi aaye aur door khade aise dikhane ki koshish kar rahe the jaise aapas mein baat kar rahe hon par unke haav bhaav se maine is baat ka andaza laga liya ke vo ladki us aadmi ko mere baare mein bata rahi hai aur vo meri nazar bacha kar mujhe dekhne ki koshish kar raha tha.
Ab tak mujhe us bar mein Bartenders aur abmanager ke alawa koi aur aadmi dikhai nahi diya tha. Sab ladkiyan hi thi jo serve kar rahi thi par jab maine apni Beer khatamki toh mera bill lekar jaane kahan se ek 6 ft ka hatta katta mustanda aaya.
"Your bill sir" Usne mera bill table par rakhte hue kaha. Mujhse ye tak nahi puchha gaya ke kya main kuchh aur lena pasand karunga.
"Thank you" Maine ishara samajhte hue bill utha kar dekha aur meri aankhen khuli ki khuli reh gayi.
Zindai mein na toh maine isse mehengi Beer kabhi pi thi aur na hi isse mehenge kabab kabhi khaaye the. Meri jeb mein itna cash tha nahi toh maine apna credit card nikal kar uski taraf badhaya.
"Here you go"
Vo mera credit card lekar vaapis Bar ki tarafchala gaya aur maine ek baar phir apne chaaron taraf nazar daudayi. Jis ladki se maine Saanwli ke baare mein puchha tha vo ab mujhe kahin dikhai nahi de rahi thi par Bar ka manager vahin darwaze ke paas khada mujhe dekh raha tha. Vo khada is tareeke se tha jaise yun hi khada laparwahi se khada ho par baar baar nazar bacha kar mujhe aise dekh raha tha jaise Sherlock Holmes ho.
"Thank you for visiting Sir" Mustanda mera credit card charge karne ke baad slip lekar aaya aur sidha hi thank you bol diya.
"You are welcome" Main uska ishara samajh gaya ke ab mujhe yahan se chale jana chahiye. Credit card ki ek slip sign karke maine use di aur doosri apne wallet mein rakhte hue Bar se bahar aa gaya.
Chipku ne jab mujhe is Bar mein kaam karnewali ladki ke baare mein bataya tha toh mujhe poora yakeen tha ke use koi dhokha hua hai aur main is baat ki bahut hi kam ummeed kar raha tha ke mujhe yahan aakar kuchh haasil hoga. Par jis tarike se us ladki ne Saanwli ki tasveer ko dekh kar react kiya tha usse ye baat toh saaf ho gayi thi ke ya toh Saanwli yahan kaam karti thi ya koi aisi ladki thi jo uske jaisi dikhti thi. Agar koi aur ladki thi toh ye bahut hi ajeeb baat hogi kyunki vo already 2 judwa behne thi aur ek aur ladki ka hona matlab ek hi shakal ke 3 log jiske chances bahut hi kam the.
Bar se bahar dhoop mein aate hi mujhe achanak chakkar se aa gaye aur main ek palke liye vahin chhaon mein ek deewar ka sahara lekar khada ho gaya. Maathe par haath laga kar dekha toh bukhar toh nahi tha par kamzori bahut mehsoos ho rahi thi.
"Meri baat maan toh kisi Doctor ko dikha hi le" Mujhe Khan ki kahi baat yaad aayi.
Ghadi par nazar daali toh dopahar ke 3 bajne wale the. Main apna haath uper karke, aankhon ko dhoop se bachata apni gaadi tak aaya aur andar aakar beth gaya. Thodi der tak main vahin betha sochta raha ke iske baad Saanwli ke hostel ki taraf chalun ya Joshi se milne jaoon. Aakhir mein faisla maine Hostel ki taraf jaane ka kiya kyunki Joshi se milne mein na toh mujhe koidilchaspi thi aur na hi usse milne ki koi jaldi.
Hostel tak pahunchne mein traffic ki vajah se mujhe takreeban ek ghanta lag gaya. Maine gaadi bahar main road par hi chhodi aur galiyon se hota Saanwli ke hostel tak pahuncha. Jis watchman se maine pehle baat ki thi, vo ab bhi vahin gate par hi bethahua tha. Main apna sar jhukaye Hostel ke saamne se aise guzra jaise yun hi vahan se guzar raha hoon. Gate ke paas meri nazar bahar bethe watchman se mili, maine nazarse use phir paan ki dukaan tak aane ka ishara kiya aur khamoshi se sidha nikal gaya. Joshi se yahan hui mulaqat aur hostel ki maalkin us moti aurat ke ravaiyye ko dekhne ke baad main nahi chahta tha ke unhen pata chale ke main phir yahan aaya tha. Chalta hua main main-road tak aaya aur apni gaadi mein beth kar watchman ka intezaar karne laga.
Vo kambakht poore ek ghante baad aaya. Yaani shaam ko 5 baje apni shift khatam karne ke baad.
"Itna time?" Vo gaadi mein aakar betha toh maine puchha.
"Abhi ham bhi kya karega saahib? Udhar ham gate par nahin rahenge toh maalkin koshaq ho jaayega ke ham duty ke waqt gayab rehte hain. Vo toh vaise hi is taak mein hai ke hamari compalint kare"
"Yeah yeah i know. Bata chuke ho tum" Maine lambi saans chhodte hue kaha.
"Haan bataiye. Konho kaam pad gaya?"
"Haan" Maine kaha "Vo Saanwli ke saath jo ladki rehti thi na Maya, vo jo kuchh time pehle chhod kar chali gayi, dekho agar uska hostel mein koi forwarding address hai toh"
"Kaun sa address?"
"Forwarding address. Matlab agar koi kahin rehta ho aur phir vahan se kahin aur shift kare toh log usually apna agla address bata kar jaate hain taaki agar koi chitthi vagerahya koi milne aaye toh unhen bataya ja sake ke ab vo kahan rehte hain"
"Accha accha" Vo samajhta hua bola "Agla pata"
"Haan vahi"
"Vo toh mushkil hai saahib. Vo kahan se nikalenge?"
"Iske liye tumhein us moti ke office mein jakar files vagerah dekhni padengi, rent slips vagerah. Dekho agar kuchh milta hai toh. Ya hostel ki doosri ladkiyon se baat karke dekho agar kisi ko kuchh pata hai toh" Maine kaha.
"Aajkal kahan kagaz vagaz par koi kuchh likhta hai saahib. Ab toh sab kaam sasura computerva mein hota hai na"
"Yeah i know par phir bhi koshish karke dekho"
"Risky kaam hai saahib"
Vo bola toh main samajh gaya ke agli baat vo paiso ko lekar karne wala tha ke is baar maal zyada lagega.
 
Member
312
78
28
Chapter 9 - Look Who Died !!!

Agle din subah 10 baje main Chipku ke saath Sharafat Bar mein betha hua tha.
"Jaldi uth gaye Bhai aaj aap?"Vo mujhe dekh daant dikhata hua bola.
"God damn it. Does the entire world know that i sleep till late?"Maine dil hi dil mein socha.
"Haan aise hi aankh khul gayi"Main pehli bar ek Bar mein betha chaai pi raha tha jo pata nahi Chipku ne kaisa kahan se arrange karayi thi. Khud vo subah subah beer gatak raha tha.
"Aapka tabiat kaisa hai abhi bhai?
"Kal better tha thoda par sala Bukhar aaj phir se aa gaya"Maine chaai ka ghoonth lete hue kaha. Aaj subah meri aankh khuli toh mera bukhar phir laut aaya tha aur ek baar phir subah savere mujhe jaga diya tha.
"Doctor kya kehta hai"
"Gaya hi nahi doctor ke paas ab tak main"Maine muskurate hue kaha.
"Dikha lo Bhai. Aajkal sala kaise kaise toh bukhar chal rahe hain. Naam bhi aisa full angrezi type. Malum pade ke bukhar nahi koi imported perfume ke baat kar rele"
"Haan jaoonga. Main bhi soch raha hoon ke test vagerah kuchh kara hi loon"
"Apun ko kaise yaad kiya subah savere?"
"Kal udhar gaya tha main, Genie in a bottle"Maine bataya.
"Bole toh?"
"Arrey vo Sharafat Bhai ka doosra wala Bar, angrezi style wala"
"Achha haan. Vo sala naam apun ko kabhi samajh aayela hi nahi."
"Kal vahan gaya tha main vo ladki ke baare mein pata karne. Tu sach bol raha tha"
"Matlab?"Uske chehre ke haav bhaav ekdam badal gaye.
"Vahan kaam karne wali ek ladki ko maine vo Saanwli ki tasveer dikhayi thi. Vo mujhse jhooth boli ke usne is ladki ko kabhi dekha nahi par chehre se saaf pata chal raha tha ke jhooth bol rahi hai"
"Phir?"
"Phir vo ladki manager ko leke aayi, meri shakal dikhayi aur bas phir mujhe vahan se uthake bahar phenka nahi un logon ne par sharafat ke saath chalta zaroor kar diya"Maine haste hue kaha.
"Utho"Vo uthkar achanak khada ho gaya.
"Kya?"Maine hairani se uski taraf dekha.
"Bolo nahi kuchh. Bas khamoshi se utho aur kalti ho lo idhar se"
Isse pehle ke main kuchh kehta, vo uthkar gate ki taraf chal pada. Maine bhi chaai ke cup se ek aakhri ghoonth khincha aur uske pichhe pichhe chal diya.
Tez kadmo se chalte ham dono bahar aaye. Chipku sidha meri car ke paas pahuncha aur mujhe ishare se kaha ke main car mein bethkar vahan se chalun.
Koi 10 min drive ke baad ham thoda door pahunche aur kone mein maine uske kehne par gaadi rok di.
"Batayega kya kar raha hai?"Maine puchha.
"Kya Adi Bhai. Apun sala aapko mast jasoos type aadmi sochela tha. Aisa bevakoofi ka kaam aap karoge socha hi nahich apun"
"Ab kya hua?"Main hairan hote hue bola.
"Apun kya bataya tha aapko? Ke udhar us chhokri ko leke kuchh toh rada hua tha jiske baad Sharafat Bhai sabko khulle mein bole the ke us chhokri ko lekar koi baat nahi karega par phir bhi aap udhar aise chaude mein jaake sabko photu bitu dikhaye?"
Uski baat mujhe samajh aa rahi thi.
"Aur uske baad apni izzat badhva kar aap aake idhar Sharafat Bhai ke doosre Bar mein beth gayele? Aisa khulle mein? Aur apne saath sala apun ko bhi bitha dala?"
Uski ye baat bhi sahi thi.
"Vo kya bolte usko, Aa saand meri maar karke typke kuchh"
"Aa bel mujhe maar"Maine uski kahwat sahi kari.
"Haan vahinch. Aisaich koi irada lag rela hai aapka mere ko"
"Tu sahi keh raha hai. Yaar ye bimari ne mere sochne samajhne ki taqat pe parda daal diya hai. Doctor ko dikha hi loon"
"Haan dikha hi lo varna apne saath apun ko bhi marvaoge aap"
"Sorry Yaar"Maine maafi maangi.
"Jaan do abhi. Vaise us chhokri ke baare mein udhar koi bolega nahi par koi hai jo shayad kuchh janta ho"Vo sochta hua bola.
"Kaun?"
"Bijli"
"Bijli?"
"Haan. Vo idhar Sharafat Bhai ke addo pe kaam karne wali zyadatar ladkiyon ko jaanti hai. Usse baat karke dekho. Shayad kuchh bata deve"
Chipku se thodi der aur baat karke maine use kuchh paise diye aur vo gaadi se nikal kar paidal hi chala gaya. Jaate jaate mujhe ye hidayat bhi de gaya ke main bhool kar bhi Sharafat Bar mein dobara na aaon, kam se kam agle ek saal tak toh nahi.
Uske jaane ke baad main gaadi start kar hi raha tha ke phone baj utha. Call Khan ki thi.
"Haan Bhai. Breaking news suni. Tera ek dushman duniya ko alvida keh gaya"Phone uthate hi Khan khush hote hue bola.
"Kaun?"
"Joshi. Gaya uper"
 
Member
312
78
28
Pehle toh mujhe laga ke vo mazak kar raha hai.
"Subah subah isse ghatiya mazak maine lifemein nahi suna" Maine uski baat ka jawab dete hue kaha.
"Pehli baat toh ye pyaare ke ye subah subahnahi hai, ghadi dekh zara. Tujh jaise late lateef ke liye ye subah ho sakti hai par baakiduniya ki bhasha mein ise dopahar ka waqt kehte hain. Doosri baat ye ke ye mazak hai nahi aur teesri baat ye ke tujhe kyun Joshi ke marne pe itna afsos ho raha hai be?"
"Tu sach bol raha hai?" Maine hairat mein puchha.
"100% percent"
"Kab? Kaise? Main toh aaj usse milne ke plan mein tha"
"Milan toh usse ab tera uper jaake hi ho sakta hai. Bathroom mein phisal kar gira, sar kisi cheez par laga aur bhaisahab gaye uper"
Ye aur mere liye doosri hairani ki baat thi.
"Bathroom mein phisal kar gira?"
"Yeah, can you believe it?"
"No i cant. Its hard to comprehend that."
"Yep. Us jaisa aadmi jo har waqt itna mard bana phirta tha mara toh kaise. Kam se jatatoh shaan ke saath" Khan hasta hua bola.
"Man what a waste. Aur tu kyun itna khush ho raha hai?"
"I never liked that Dude" Khan ne kaha "Par tu khush kyun nahi ho raha?"
"Kyunki meri usse banti nahi ye sach hai parmain ye nahi chahta tha ke vo mar jaaye. isliye khush nahi ho raha"
"Abe chal. Tune toh saale meri good news ka baja hi baja dala. Maine itni khushi ke saath phone kiya tha tujhe"
"Tu saale bilkul nahi badla. Kisi ki jaan chali gayi aur tu khush ho raha hai"
"Dushman ki jaan jaaye toh khush hone wali baat hi hai dost"
"Vo kabse tera dushman ho gaya?"
"Bhai tera dushman toh tha na vo, ab jo mere bhai ka dushman, vo mera dushman" Khan bola.
Uski baat sunkar meri bhi hasi chhut gayi.
"Badla nahi saale tu. Ab Saanwli ka case kaun handle kar raha hai?"
"Pata nahi. Abhi to mara hi hai vo aaj subah.Uski jagah jo aayega vo handle karega"
"Hmm. Vo numbers ke records ka kuchh pata chala?"
"Nahi. Koshish kar raha hoon"
Khan se baat karne ke baad main thodi der vahin gaadi mein betha sochta raha. Ye sach tha ke Joshi se meri kabhi bani nahi, hamesha 36 ka aankda raha par utna hi sachi ye bhi tha ke main dil se uski kaafi izzat bhi karta tha. Vo ek imandaar policewala tha. Ye shabd aaj ke zamane mein sunne mein hi ajeeb lagta hai. Policewala aur vo bhi imandaar, koi sunkar hi hasi udaaye. Main kaafi waqt se use jantatha aur vo imandaari ka dikhawa nahi kartatha, vo sach mein aisa tha. Apne kaam ko poori lagan ke saath karta tha.
Ek pal ko mere dimag mein ye khyaal bhi aaya ke kya uski maut ka Saanwli ke case se koi lena dena ho sakta hai par phir Khan ki baat yaad aayi ke vo Bathroom mein gir kar mara tha toh maine vo khyaal apne dimag se jhatak diya.
"Seriously, what a waste" Maine dil hi dil mein socha "Ek kabhi kisi se na darne wala aadmi aur mara bhi toh bathroom mein phisal kar. Apni duty ka pakka insaan, kam se kam police ka kaam karte hue goli khakar marta toh shaheed toh kehlata"
Maine gaadi start ki aur apne office ki taraf badh gaya.
"Look what the cat dragged in" Main office mein daakhil hua toh Nisha mujhe dekhti hui boli.
"Yeah, you" Maine jawab diya aur apni jagah par jakar beth gaya.
"You look like crap. Still got fever?"
"Yeah. Anything new around here?"
"Nahi, just me. Aake sara din bethi computer par games khelti rehti hoon. Aap toh aate nahi, akeli bethi rehti hoon"
"Vo isliye sweetheart kyunki mera kaam field mein jakar dhakke khaane ka hai. Vahin se aati hai teri salary bhi"
"Yep, thats true. Vaise kuchh log aaye the aapse milne"
"Kaun?"
"I dont know. Shakal se toh gunde type lag rahe the. Andar aaye, aapke baare mein puchha, maine kaha ke aap office aaye nahiab tak toh palte aur chale gaye"
"Naam vagerah?"
"Maine pichhe aawaz hi deti reh gayi par voruke hi nahi. 3 the. Ulte kadam hi darwaze se laut gaye"
"Hmmm. Thats weird"
"Yep. Aur aap ek kaam karo. Main apne fiance se puchhkar kisi achhe doctor ka naam le leti hoon. Jakar dikha aao"
"Yeah your fiance" Maine muskurate hue puchha "Kaisa chal raha hai?"
 
Member
312
78
28
Main lagbhag ek ghante aur office mein ruka par tabiyat kharab hone ki vajah se Nisha ko office mein chhod kar vaapis ghar aa gaya. Saanwli ke hostel ke Watchman ko mains number de aaya tha ke taki use jaise hi address pata chale, vo mujhe phone kar ke bata de. Toh filhal mere paas leads ke naam par kuchh bhi nahi tha aur sivaay intezar karne ke aur koi option bhi nahi tha . Ab aage ki kahani sirf isi baat par depend karti thi ke ya toh Saanwli ke phone records se kuchh pata chale , ya Maaya ka address mile aur vo kuchh bataye ya phir bijli se koi jaankari mile.
Main Apne ghar pahuncha toh bahar hi thithak gaya. Mere ghar Ka darwaza khula hua tha . Bahar jo tala main laga kar gaya tha, vo ab vahan nahi tha .
Dheere -2 sawdhani ke sath maine darwaza khola toh andar 4 aadmi mere drawing room mein maujood the . 3 gunde jaise log khade hue the aur ek kale rang Ka pathani suit pehne betha chaai pi raha tha.
"Aaiye aaiye Sharma Ji. Bada intezaar Karaya yaar apne " vo pathani suit wala aadmi mujhe darwaze ke paas dekh kar bola.
Main darwaza poora kholkar apne ghar ke andar daakhil hua.
"Kaun ho tum log? Mere ghar mein kaise ghuse?" Ye baat mere munh se nikalne hi wali thi ke tabhi vahan khade 3 aadmiyon mein se ek ke haath mein mujhe ek pistol dikhai di aur maine apne shabd apni zubaanpar hi rok liye.
"Maaf kijiyega par yahan bethe aapka intezaar kar rahe the toh maine socha ke ekcup chaai hi bana li jaaye. Ummeed karta hoon ke aapko bura nahi laga hoga" Us pathani suit wale aadmi ne kaha.
Umar mein vo koi 50 ke kareeb hoga, rang gehuan, kad 6ft ke uper aur itna chauda ke jis kursi par mere jaise 2 aadmi fit ho sakte the, use vo akela hi poora ghere betha tha. Chhoti chhoti aankhen jinmein se daayin aankh ke neeche ek bada sa nishan aur dono kaan toote hue jo is baat ka saboot the ke vo kabhi kisi zamane mein akhade kapehalwan raha tha. Vaise toh ye baat uski kad kaathi dekh kar hi saabit ho jaati thi, kaan toh bas aakhir mein gawahi de dete the.
In short, ek raubdaar shakhsiyat jiske saamne mujh jaise adiyal ke munh se bhi abtak ek shabd nahi nikla tha.
"Chaai lenge?"
Usne mujhse puchha toh maine inkaar meingardan hila di.
"Arrey le lijiye. Ye Raju ne banayi hai aur ye sala chaai bahut achhi banata hai" Usne apne ek aadmi ki taraf ishara karte hue kaha "Aur vaise bhi ye toh ghar bhi aapka hihai, takalluf kaisa"
Apni hi baat par vo dil khol kar hasa aur uske pichhe pichhe uske aadmi bhi aise hasne lage jaise pata nahi kaun sa bada joke maar diya ho bhai ne.
"Arrey aap khade kyun hain? Bethiye na" Usne mujhe saamne rakhi ek khali kursi ki taraf ishara kiya.
Jab main apni jagah se hila tak nahi toh achanak uske chehre se hasi gayab ho gayi.
"Bethiye" Vo is baar kadak aawaz mein garja jiska nateeja ye hua ke main chup chap kisi robot ki tarah uske saamne jakar beth gaya.
"Mujhe pehchante hain aap?"
Maine phir inkaar mein gardan hila di.
"Chaliye koi baat nahi" Uske chehre par phirse muskurahat laut aayi "Main apna ta'arrufkara deta hoon. Na-cheez ko Sharafat Sheikh kehte hain"
AUr uski ye baat sunte hi jaise pal bhar mein meri aankhon ke aage sara majra saaf ho gaya.
"Aapki aankhon ki badalti taaseer ko dekh kar main is baat ka andaza laga raha hoon ke aap mujhe bhale shakal se nahi par naam se zaroor jaante hain aur ye bhi samajh gaye hain ke main yahan aapke gareeb-khaane mein kya kar raha hoon"
Mere munh se phir bhi koi bol na phoota. Aisa kabhi hua nahi tha mere saath par na jaane kyun apne saamne bethe us lambe chaude insaan ko dekh kar mujhe jaise saanp soongh gaya tha. Usne chaai khatam karke cup vaapis table par rakha aur uske lambe chaude pehalwani haath ko dekh kar mujhe sirf ye khyaal aaya ke agar isne mujhe ek thappad bhi maar diya toh mere munh mein 32 mein se ek bhi nahi bachega.Saare zameen par pade honge.
"Dekhiye Sharma Ji" Hairani ki baat thi ke vo ab tak mere saath itni tameez se pesh aa raha tha jabki us jaise aadmiyon se tameez ki ummeed karna toh ek gunaah jaisa lagta hai "Main bada suljha hua aadmi hoon aur ye mera apna zaati tajurba hai ke jab kaam pyaar mohabbat se ban jaaye toh zor zabardasti nahi karni chahiye. Main toh machchar bhi tab tak nahi maarta tab tak ke vo mujhe kaatne ki koshish na kare. Aap samajh rahe hain na ke main kya kehna chah raha hoon?"
Maine phir goonge ki tarah apni gardan haan mein hila di.
"Ab aap aur main jo baat karne wale hain vo do tarike se ho sakti hai. Ya toh ham dono aaram se bhaiyon ki tarah bethkar baat kar lein yar phir aap gunpoint par mere sawalon ke jawab den"
Kehte hue usne apni pathani suit ke kurte ke neeche haath dala aur ek badi si revolvernikal kar table par rakh di.
"Vaise Gunpoint se yaad aaya, ek maze ki baat batata hoon aapko. Tum bhi suno oye" Kehte hue usne apne aadmiyon ki taraf ishara kiya "Aap yakeen nahi maangenge par bachpan mein mujhe lagta tha ke Gunpoint ek jagah hai, koi shehar ya gaon ya phir koi gali mohalla. Par mujhe hamesha yahi lagta tha ke Gunpoint kisi asal jagah ka naam hai"
"Vo kyun Bhai?" Saath khade aadmiyon mein se ek ne puchha.
"Arrey bhai aaye din news mein sunte nahi, Tourists held at Gunpoint, Gunpoint par din dahade daketi, Ladki ka gunpoint par balatkar. Main sala sochtha tha ke agar ye Gunpoint itni khatarnaak jagah hai toh log jaate hi kyun hain vahan?"
Uski is baat par mujhe chhod kar kamre mein maujood har aadmi dil khol kar zor zorse hasa.
"Lagta hai aapko joke pasand nahi aaya Sharma ji" Vo ek baar phir mujh se mukhaatib hua "Chaliye koi baat nahi. Sabse pehle toh aapke ghar mein yun ghus aane ke liye maafi aur phir aapki cheezon se chhed chhad ke liye maafi. Par kya karun,aap bhi toh mere ghar mein yun ghus aaye the kal aur phir aise meri cheezon ke baare mein puchh taachh karne lage. Toh maine socha ke jab aap yun meri zindagi mein dakhal andaazi kar rahe hain toh hisaab tohbarabar mujhe bhi karna chahiye. Kyun hainna?"
Mere munh se na haan nikla na Na.
"Vaise kaafi mash-hoor aadmi hain aap. Aap kal mere sharab-khane mein tashreef laaye, vahan ke ek cctv camera ne aapka chehra record kiya aur yakeen maaniye aapko talash karne mein zara bhi takleef nahi hui. Fauran aapko pehchan liya gaya kearrey ye toh Aditya Sharma hai"
Mujhe kisne pehchana ye toh nahi maalum par mushkil kaam bhi nahi tha. Main ek bahut lambe arse se ye logon ko dhoondhneka kaam kar raha tha aur nateejatan achhe bure, ameer gareeb, rasookh wale aur aam,har tarah ke logon se meri pehchan thi.
_____________________________
 
Member
312
78
28
Toh ab aate hain matlab ki baat par. Kyun dhoondh rahe hain aap us ladki ko?"
Aur phir jaise chamatkar hua. Usne sawal is andaaz mein , meri aankhon mein aankhen dalkar puchha jaise mere halak se alfaaz khinch raha ho aur meri zubaan jaise apne aap mere qaabu se bahar hokar shabd ugalne lagi.
"Case hai mere paas"
"Us ladki ka?"
"Ji haan"
"Jaante the aap usko?"
"Nahi"
"Kabhi mile the usse?"
"Nahi"
"Mere Bar kya karne pahunche the?"
"Mujhe pata chala tha ke vo vahan aapke yahan kaam karti thi?"
"Kya jaante hain us ladki ke baare mein?"
"Kuchh bhi nahi. Koshish kar raha hoon use dhoondhne ki. Sirf itna janta tha ke vo us Bar mein kaam karti thi. Isse zyada kuchh bhi nahi"
"Kitne din ho gaye use ladki ko talash karte?"
"Mushkil se hafta bhar"
Shukar tha ke usne mujhse ye nahi puchha ke mujhe case kisne diya ya mujhe uske Barke baare mein khabar kisne di varna us waqt jis tarah se rattu tote ki tarah main sab bak raha tha, main Saloni aur Chipku ka naam bhi use ga gakar sunata.
"Chaliye khair" Vo pichhe ko hokar kursi se tek lagata hua bola "Aapne jitni takleef ki, itni kaafi hai. Ab aap is case ko chhod dengeaur us ladki ko bilkul bhi nahi dhoondhenge"
Main kisi aagyakari bachche ki taraf fauran haan mein sar hilane laga.
"Ab dekhiye na Sharma ji, aapko achha lagega ke kisi lapata ladki ke pichhe aapki mujhse dushmani ho jaaye?"
Aur mere sar apne aap Na mein hilne laga.
"Gud. Kaafi achhe aadmi hain aap. Aapse baat karke achha laga. Kisi bhi qism ki koi bhi zaroorat ho, mujhe yaad kar lijiyega. Ham bhi doston ke dost hain. Aur aap toh vaise bhi jasoos qism ke aadmi hain, logon ko dhoondhna pesha hai aapka toh mujhe dhoodhne mein koi takleef toh hogi nahi aapko. Hai na?"
Aur mera sar ek baar phir apne aap haan mein hilne laga.
Jab tak Sharafat Sheikh mere ghar par raha,hawa mein jaise ek bhaaripan sa tha. Uske bethne ka tareeka, bolne ka andaaz, body language, sab kuchh aisa tha jaise vo kamremein maujood har cheez ka maalik ho, jaisehar cheez uski ghulam ho, zinda ya murda.
Maine uska naam kaafi suna tha. Vo Punjab ka rehne wala tha aur pehle Mumbai mein kisi sharab banane ki factory mein kaam karta tha. Phir dadagiri, phir hafta-vasooli, phir loot, phir murder, phir drugs, phir jism-faroshi aur dheere dheere vo Mumbai Underworld ka ek mazboot hissa banta chala gaya. Maine suna tha ke vo kaafi dalerkism ka aadmi tha aur apni dileri dikhane saabit karne ke liye hi hazaron dushman hone ke bavajood Mumbai mein khulla ghoomta tha. Ye uske rasookh ka saboot tha ke anginat cases uske naam par darj hone ke baad bhi aaj tak kisi policewale ki himmat nahi padi thi ke uske girebaan par haath daale. Aalam ye tha ke use aata dekh kar policewale kanni kaatkar nikal jaate the.
Uske jaane ke baad jaise main vaapis hosh mein aaya. Mujhe aisa laga jaise ke main ekneend se jaga hoon. Jaise mujhe ab tak hypnotize kiya hua tha aur ab mera suroor toota hai. Jab vo aur uske aadmi chale gaye toh main maare sharam ke zameen mein gad gaya.
Ye pehli baar nahi tha ke main us qism ke insaan ke saamne betha tha. Maine zindagi mein koi pehli baar gun nahi dekhi thi balki mere paas meri apni ek licensed revolver bhi thi. Us jaise logon se mera rozana ka wasta tha par main kabhi kisi se daba nahi, kabhi kisi ki suni nahi. Par use yun samne dekh kar jaane kya hua tha ke main ek chhota sa bachcha ban gaya tha jo vahi kar raha tha jo uske bade use keh rahe the, vahibata raha tha jo ke usse puchha ja raha tha.
Usne mujhe kaha tha ke main Saanwli ke case se haath khinch loon par mera aisa karne ka koi irada nahi tha. Balki ab toh mere paas ise continue karne ki ek zaati vajah bhi ho gayi thi. Vo ye ke is case ko lekar vo mujhe dhamkaya gaya tha. Ek baar main phir bachcha ban raha tha par is baar aisa bachcha jo vahi karta hai jis kaam ke liye use mana kiya jata hai.
Main thodi der vahin chair par apna sar pakde betha raha. Mujhe apne aap par bharosa nahi ho raha tha ke koi mujhe yun mere ghar mein ghus kar hool de gaya aur main chup chap sun gaya. Jab sharmindagi ka ehsaas kuchh kam hua toh maine apna phone uthaya aur Khan ka number dial kiya.
"Lambi umar hai teri, abhi tujhe hi yaad kar raha tha" Phone uthate hi mere bolne se pehle Khan bola.
"Kya hua?"
"Yaad hai vo ladki ki laash jo ham dekhne gaye the? Jo samundar kinare mili thi?"
"Haan"
"Tera andaza sahi nikla. Ye vo ladki nahi hai jise tu dhoondh raha hai"
"Kaise pata?"
"Us laash ki pehchan ho gayi hai. Koi 2 mahine pehle kidnap hui thi. Kisi businessman ki beti thi."
 

Top