Incest Ek bechara (एक बेचारा)

Kya kahani close kar dun

  • Total voters
    10
  • Poll closed .
परमकाल का परमभक्त... आशक्त, शशक्त!
281
1,155
125
बहुत सारे शब्द त्रुटियाँ होगी । समय मिला तो सुधार दुंगा ।
.
posted
 
expectations
22,953
14,925
143
Update 45
SHRAP
Mega update
Ab tak aapne padha ki, kabeele ke logo ko suraj ke sainiko ne apne kabze me kar liya tha, wahin somya apne pita ke sath mil kar ab rajya pe hamla karne ko taiyar thi somya ko uski bahan chhoti bhi mil jaati hai, idhar suraj apne pita ko maar kar khud raaja ban jaata hai aur apni maa ko bandi bana leta hai... Uske baad usse pata chalta hai ki somya kaid khane se bhag gayi hai.
.
Ab aage...
.

Ek andhere kamre me, farsh pe bichhi kaaleen pe baithe suraj apni ankho ko band kar ke dheere dheere koi mantra padh raha tha, uske samne ek asht konakar havan kund jwalit thi, jiske bagal me ek bada sa katora rakha hua tha aur uss katore me tha suraj ke pita ka laal rakt...
Havan kund se nikal rahe dhue me ek azeeb si nakaratamkta thi...
Jis bajah se suraj ke charo ore lal rang ke dhuen jaisa kavach ban raha tha.
Tabhi uss andhere kamre ke andar havan se nikal rahe kaale dhuyen me ek vishal chehra banne laga... Ek dhundla chehra... Jo pure kamre me apne vazood ko darsha raha tha..
.
Suraj uss chehre ko dekh kar apna sar jhuka leta hai aur bolta hai...
" Jaisa aapne bataya, maine waisa hi kiya maha maheem, ye rahi mere pita ki rakt... "
.
Suraj ki baat sun kar bhi uss dhundle chehre ke facial expressions me koi badlav nahi aata hai, aur wo bas itna hi kahta hai ki..
.
" Agar tum apni prabhuta banani chahte ho to tumhe iss rakt ko peena hoga... Wo bhi kul 88 ghoont me... Tumhare shareer me jaise hi iss rakt ke 88 van ghoot jayega, tum waise hi sarv saktimaan ban jaoge... "
.
Itna bol kar wo chehra, ek sharp look dete huye gayab ho jata hai...
.
Suraj lag jata hai khud ko sarv shaktiman banane ke karya me...
Aur wo pahla ghoon pileta hai...
.
.
.
Idhar, raajmata aur unke shishya log jaise hi raajya me pahunchte hai waise hi stabdh rah jaate hai, kyonki unke rajya me ek pankshi bhi nazar nahi aarhi thi... Sara razya khali hua pada tha... Unke shishya me se ek bolta hai...
.
"Ye kya hua hai nagar ko guru maa, yahan to koi dikhati hi nhi de rha hai... "
Guru maa bolti hai ki wo raazguru ko kal se hi mehshosh nahi kar pa rhe hai... "
Jise sun saare shishya bhi pareshan ho jaate hai, aur sab kahte hai ki hame raajmahal ke taraf chalni chahiye...
Tabhi wahan, kuchh sainik aajate hai,...
Raajmata aur unke shishya ko dekhkar ve sainik wahan aate hai, aur bole hai...
He raajmata, kripya aap yahan se chale jaye, ab iss rajya me paap ka samrajya sthapit ho chuka hai, yuvraaj suraj ne raajguru aur maharas ko maarkar khud satta hashil kar li hai...
Sainik ki baat sun raaz gurumaata ko jhatka lagta hai, lekin wo khud ko mazboot kar apne bheege aankhon ko saaf karte huye bolti hai ki wo kabhi bhi iss razya ko barbaad karne baale ko maaf nhi karegi....
Wo kabhi bhi ek aise shaksh ko maaf nhi karegegi jisne apne maata pita ke pyaar ka aisa fal diya.
Aur apne kamandal se apne haath me pani lekar... Bolti hai...
.
" MAI APNE PATI KO SHAKSHI MAAN KAR USS DUSHT YUVRAAJ KO SHRAP DETI HUN KI, USS DUSHT KO KABHI BHI EK BAHAN KA PYAR, EK PITA KA SAYA AUR EK MATA KI MAMTA NASEEB NHI HOGI,
JAB BHI WO KISI KE PREM ME AAYEGA, TAB TAB USKI WO CHAHT HI USKI JAAN LE LEGI..
CHAHE WO KITNE BHI JANM KYUN NA LELE."
.
.
gurumata ne jaise hi shrap diya, waise hi wahan ki zameen hilne lagi... Iska wajah tha naagsena jo apne aap ko visible kar ke poori raftaar ke sath raajmahal pe aakrman karne aarha tha, raaj mata aur unke shishyo ne jab itni badi, vishaal naago ki sena dekhi to dar ke maare unke zabde hilne lage.. Lekin jaise hi unki nazar ek vishal sarp pe baithi somya pe gayi... Waise hi Raajmata samajh gayi ki somya ko zaroor uske naagpita mil gaye honge, darasal raajmata ko somya ke bare me unke pati bata chuke the, ki wo naagvansh ki kanya hai...
.
Raajmata apne shishyo ke sath wahan se nikal gaye.
.
Raajmahal ke sainiko ne jab apne ore aate itni vishal naago ki sena dekhi, sab dar ke kanpane lage...
Unhone fauran apne raaza ko ye baat batane ke liye unke kamre ki ore daude... Mantri turant apni sabse mazboot aur bahadur sainya saktiyo ko ekatrit hone ka aadesh deta hai, turant hi varndesh ki taraf se bhi dharti ki sabse vishal sena apne apne ashtra aur shashtro ke sath raazmahal ke bahar tashta roke khadi ho gayi...
.
Idhar suraj ne bhi apne pita ki rakt ki 87 ghoont pi lya tha, usse apne sainik ke dwra pata chal chuka tha ki uske rajya pe aakraman hone bala hai. Aur aakrmankaari naag hai.
Suraj apne pita ke khoonka antim ghoont pita hai, aur usse peete hi, usko apne shareer me ek aseem urza ki ehshash hone lagti hai, uski ankhe putliyo saheet laal hone lagti hai, uske shareer ki mansh peahiya akadne lagti hai, suruaat me to suraj ko athah peeda hota hai, par kuchh chhano baad, wo sthir ho jaata hai, aur uske chehre pe ek shaitano waali mushkaan aajati hai.
.
.
Raajya ke bahar, naaglok ki laakho sena aakar khadi ho chuki thi, sainiko aur mantrio ne jaise hi somya ko ek naag pe sabar dekha usse samajh aagya ki ho na ho ye sena somya ki madad ke liye hi aayi hai.
.
Somya, ek buland aawaj me suraj ko lalkaarti hai, aur bolti hai ki
"agar tum me zara sa bhi marangi hai to mukabla kar... "
.
Iske baad dono taraf se yudh ko suru karne ka bigul bajta hai.. Fir
Sainiko aur naago ke beech bheeshan yudh prarambh ho jata hai , chunki naaglok ki sena me bahut vishal vishal naag bhi the, iss liye unki sena varndesh ki sena par bhari pad rahi thi,
Lekin varndesh ki sena me bhi kaafi partapi soorveer bhare the, jo iss ladayi me apna 100 pratishat de rahe the.
Somya bhi apne gusse ko prachandkaari roop dekar, ek talvaar liye varndesh ki sainiko ko berahmi se kaat rahi thi.
. Kuchh hi der me varndesh ki sena ka ek tihayi sainik maare ja chuke the.
.
"Ruko..... "
.
Tabhi wahan aawaz gunjti hai suraj ki....
.
Jab somya aur baaki yodha ki nazar uss taraf jaati hai to wo dekhte hai ki suraj apne kuchh sainiko ke sath iss ore hi badi shanti se chale aarha tha, uske chehre se lag raha tha ki wo befikar hai.
.
Uske sath jo sainik the wo kuchh log ko zanzeero me bandh kar ghaseetate huye lekar aarhe the. Jinka muh kaale kapdo se poora dhaka hua tha.
.
.
" Are are, ye mai kya dekh raha hun, somya.... Tum itni bahadur nikli ki tum hamare khufiya karagar se bhi bhag nikli, wah....
Waise ... Mai ye kaise bhool sakta hun ki tum varndesh ke maharaz suraj varnvarman yaaninki meri ki purv ardhangni ho...
Itna sahas aur shakti to tumme hogi hi...
Khair, ye kin zaanvaro ki fauz lekar mujhse mukabla karne aaye ho, aur ye mile kaha se tumhe.... "
.
Somya - Murkh, apne aapko mujhse mat joda kar... Aur ye sena jise Tu zaanvaro ki sena kah raha hai na.. Ye tumhari maut ki baarat hai...
Naaglok ki sena hai ye...
.
Suraj - uuuhhh... Nhi nhi.... Mujhe mat kuch karna... Mai dar gaya... Mujhe maaf kardo....
.
Ha... Ha... Ha... Ha... Ha... Ha... Ha... . Tumhe kya laga in keedo ko dekh kar mai aise hi maafi manguga kya...
Mai hunnn, varndesh ka maharaj... Raaja suraj varnvarman.... Mai sarvshaktimaan hun somya...
Mujhe koi bhi parasht nhi kar sakta hai... "
.
.
Somya - huhh, bhool hai tumhari suraj, bahot badi bhool, ... Khair.. Agar Tu sach me ek sarvshaktimaan mard hai to mardo ki tarah lad na... Yun baate kyu haak raha hai...
.
Suraj - somya, somya, somya... Tum kitni bholi ho meri zaan, tumhe kya laga mai ye yudh ka kavach pahan kar yahan bartalap karne aaya hun, are mai to yudh karunga hi meri zaan, lekin mai tumhara purv pati bhi yo hun, issliye tumhe ek aakhiri uphaar bhi to dena hai...
.
To dekho....
.
Itna bolte hai suraj apne haath ko un bandiyo taraf ishara karta hai, aur sainik kaidiyo ke sar se kaalaa kapda hata deta hai.
.
Somya aur naagraaz ke sath surakchhit uski chhoti bahan jaise hi unn kaidiyo ko dekhti hai unke muh se anayash hi nikalta hai...
.
"Babaaaaaaaaa........ "
.
Kabeele ke log the ye, jinhe shayad itna peeta gaya tha, ki inki khal tak halki halki udhadi huyi nazar aarhi thi. Unke sath unke kabeele ke wo sabhi log the jo jo somya ko chhudane ke liye karagar ke pas junglo me chhupe huye the..
.
Suraj - to kaisa laga mera tohfa...
Pasand aaya na, timhare pita ko tumse milane se achha tohfa kya ho sakta hai... Meri zaan...
.
Somya ( jiski gusse ki seema paar ho chuki thi) - dusht, aaj mai tumhari wo maut likhungi... Jiski takleef tmhe tumhari ashankhya janmo tak milti rahegi...
.
Itna bol kar, somya apne apne talvaar ke handle ko mazbooti se pakadkar... Suraj ki ore usee maarne badhti hai... Par jaise hi wo aage badhti hai... Wahan mausud sainik kabeele ke logo me se ek jan ki garan kaat dete hai...
Jisse dekh somya jahan thi wahi ruk jaati hai...
.
Suraj - kya yaar somya... Aisa thode na hota hai...
Are mai manta hun ki mai sarv shaktimaan hun lekin aise hi tumhari poori sena ko nash karna bhala kaha ki nyay hai...
Issliye chalo dwand khelte hai...
Tumhare sena me se jo sabse magarathi hai usse mai yudh karunga... Jo jeeta wo jeeta... Jo hara.. Wo uss agni kund me jakar apna pran tyag dega... Agar yudh me zinda bache to...
.
Tabhi somya ko uske pita ki awaz sunayi deti hai... Jo usse shart maanne ko kah rahe the...
.
Somya bhi haan kar deti hai... Aur apne taraf se naaglok ki ek bhai ko bhejti hai jo ki bahut pratapi tha..
.
Naag aur suraj apne apne talvaar ko lekar ek dusre ke samne saamne aa jate hai...
.
Dono me yudh ki suruaat hoti hai..., chuki suraj filhal apni kaali shaktiyo ka prayog nahi kar raha tha, issliye naag uss pe bhari pad raha tha.. Ant aate aate suraj ki haalat badtar ho gayi aur uski talvaar par se pakad bhi kam hone lagi...
.
Tabhi achanak se uske aankho ka rang laal ho gaya, aur uska shareer kisi vajra ke saman ho gaya., naag ka agla vaar usne apne sareer pe hone diya...
Aur uske agle hi pal...
Tannnnnnn ki aavaj se naag ki talvaar suraj ki baajuo pe takrate hi toot jaati hai...
Jise dekh wahan mauzud saare log chauk jaate hai...
Par jaise hi un sabki nazar suraj ki aankho pe jaati hai, sabke man me dar vyapt hone lagti hai, yahan tak ki kuchh kuchh naag bhi arne lagte hai...
.
Naagraaj, turant apne bade bete aur shomya se man hi man sampark karte hai aur batate hai... Ki unhone suraj ke andar ek bahut hi bahayanak urza ko mehshoos kiya hai... Jo ki unke yaad me iss brahmand me shirf ek hi shaksh ke paas dikha tha... MAHAMAHIM... jo ki shaitan ka upasak tha... Aur betaal lok ka raaja...
.
Somya aur uska bada bhai, apne pita ki baat sun kar chaunk jaate hai..
Uske baad wo tay karte hai ki pahle kabeele ke logo ko bachana chahie...
.
Somya ka bada bhai... Adrishya hokar... Kabeele ke logo ki taraf jaata hai... Aur suraj ke sath yudh karne naag ka ek aur yodha...
.
Parantu suraj ka sence bahut jyada badh gaya tha... Wo somya ke bade naag bhai ko adrishya roop me bhi dekh liya... Aur usne apne haath se ek teez bizli ki jhatke baali kiran uske taraf chhoda, lekin naag yuvraaj ki shaktiya bhi kahi se kam nahi thi, usne turant uss bijli ko nishkriy kar diya, aur apne ek haath se samne mauzud sabhi shikariyi ko muchhit kar un kabeele baalo ko lekar waha se gayab ho gaya...
..

.
Suraj ye dekh kar gusse me aag babula ho gaya aur somya se bola....
.
Ab bahut huaa jaan., ab zara mai bhi to apni shaktiyo ko aazma lunn...
Itna bol suraj apna ek haath upar karta hai... Aur kuchh mantra padhta hai.. Uske aisa karte hi uske hatho me ek lambi si kaali talvaar aajati hai... Aur jaise hi wo apni aankhe kholta hai...
Uska aankh fir se laal ho jata hai...
..
Suraj ek shaitani hasi haste huye yudh suru karne ka aawahan deta hai....
.
Kuchh hi palo me suraj tezi se bizli ki gatibse daudte huye naagsena ke beech pahunch jata hai... Aur fir apna kahat unpar dhane lagta hai...
.
Har gujarte pal ke sath... Naagsena me hazaro naag maut ki nind sore jaarhe the, koi bhi suraj ke aage tik nahi pa rha tha, apni sena ka ye haal dekh naagraaj... Suraj ke saame prakat hote hai... Aur usse yudh ke liye lalkarte hai...
.
Naagraaj aur suraj ke beech ek bheeshan yudh hota hai...
Tab tak idhar somya apne shaktishali bhaiyo ke sath milkar , bhi varndesh ki lagbhag aadhi sena ko samaapt kar deti hai...

..
Naagraj ki shaktiya bhale hi suraj se jyada thi, lekin chunki naagraj ek safed shakti ka pratik the, to unke andar ki shakti bhi bas linited hi thi, lekinsiraj jaise jaise yudh kar raha tha waise waise uski shaktiya badhte hi jaa rhi thi...
.
Somya jab apne pita ko haarte huye dekhti hai, to wo apne talwaar kolekar... Suraj ke samne chali jaati hai... Parantu suraj ab pura shaitan ban chuka tha... Usne somya ko nazar andaaz karte huye... Usse ek haath se shirf matra jhatka jiske falswaroop somya lagbhag 50 ft door jakar giri...
.
Suraj ne naagraaj ko marna apna uddeshya bana liya tha...
.
Somya ko samajh nhi aarha tha ki wo ab kya kare....
Iss vaqt agar koi usse rashta dikha sakta the wo shirf raajguru hi the, jo ab zivit nhi the.

Tabhi somya ko guru mata ki yaad aati hai...
Aur wo abhi jahan jakar giri thi wahin baith kar gurumata ko yaad karne lagti hai.
.
Guru mata bhi shayad issi pal ka intezar kar rahi thi.
Somya guru mata se antarman me jud kar suraj ko rokne aur usse khatm karne ka upay mangti hai...
.
Raazmata batate hai ki ,
" Putri, jahan tak mai dekh pa rhi hun, suraj ke upar betal lok ke raza mahamaheem ka hath hai, aur betal lok ke logo ke dwara bola gaya kathan uske liye brahm lakeer hoti hai,
Suraj ne bola hai ki agni kund me jo jayega... Samjho wo haar gaya... Aur usse uss aag me jal kar marna hi hoga... Tumhe kisi tarah suraj ko agni kund ke paas lana hoga... Uske baad tumhe suraj ko al e sath lekar agni kund me kud jana hoga... Tumhe balidaan dena hoga putri....
.
Somya gutuma ki baat samajh jaati hai, wo ek nazar fir se apne bhaiyo aur apni bahan ko dekhti hai, fir wo suraj aur apne pita ko yudh karte dekhti hai... Aur ek agni kund ke nazdeek jakar khada ho kar. Ek buland aawaj me bolti hai...
.
" Aye napunshak, ek jakhmi pe vaar kar ke khud ko maharathi samajhta hai tu.... Are thi hai tum jaise yodhao pe... Agar yudh hi ladna hai to mujhse lado... Nahi to ghar jakar chudiya pehan lo..."
.
Suraj ka gussa, somya ki baat sun kar aur bhi badh gaya... Wo gusse me bolta hai...
.
" Apni hadd paar kar di hai tune ladki... Ab yu mera krodh jhel sakti hai to jhel... Lekin pahle issee to khatm kar dunnn... "
Khachhaaaakkk.....
.
Pitaaaaaajeeeeeeeee......
.
Suraj apni baat pura karne ke sath, naagraaj ka sar apni kaali shakti se bani talvaar se kaat deta hai, jisse naagraaj ki wahi maut ho jaati hai.
Aur somya ke sath sath sabhi naagputro ki bhi cheenkh nikal jaati hai...
.
Suraj jaise hi somya ke muh se naagraj ke liye pitaji sunta hai wo chaunk jaata hai...
.
.
"Pitaajee...., ye kab huaa.... Iska arth hai tum naaglok ki raajkumari ho.... Waahhhh..... Ha.. Ha.. Ha.. Ha.. Ha.. Tabhi sochu tumhari madad karne naaglok ki sena kyun aayi hai... Ab pata chala kyun aayi hai... Hi hi hi.... Ab to timhare bhaiyo ko bhi marna padega... "
.
Suraj , somya ke taraf na badhkar uske bhaiyo ke taraf jaane lagta hai,
Parantu yahan kuchh aur bhi azeeb cheej hota hai, naagraaj ko pahle hi aabhash ho gaya tha ki ab unka ant samay aachuka hai, issliye unhone ant samay me hi somya ki naakanya aur raajkumari ki shaktiyo ke sath sath... Alni shaktiya bhi usse de diye the... Aur aisa hote hi... Somya ki poora shareee neela ho gya... Usse bhi samajh aagya ki ye uski shaktiyo ka hi prabhav hai, jo uske pita jaate jaate usse degaye... Aur chuki abhi wo apne krodh ki seema se bahut aage aagayi thi, issliye usne bina jyada kuchh soche.. Suraj pe hamla kar diya...
Suraj sachet tha, jaise hi somya ka talvaar uski gardan ke peeche lagne bala tha, waise hi suraj palat jar uss prahar ko block kar deta hai, lekin somya ka vaar itna khatrnak tha ki suraj udta hua door ja girtha hai, uski talvaar me bhi dent aajati hai...
...
Suraj bhi bina jyada react kiye somya pe vaar karta hai, par ab uske samne somya ka sabse khatarnaak roop tha...
.
Bahut der tak yudh karne ke baad bhi naa to suraj ,somya ko ghutno pe laa paaya tha aur naa hi somya, suraj ko...
.
Somya ko guru ma ki baat yaad aati hai, aur wo suraj ko yudh karte huye agni kund ke paas le aati hai,
Suraj ko bhank bhi nahi laga tha ki uske sath aage kya hone baaalaaa hai...
Jaise hi suraj aur somya agni kund ke paas pahunchti hai.... Somya apna roop badal kara ek naagin ka roop le leti hai aur suraj ke shareer ko bandh kar uss agni me kood jaati hai, somya ki shakti aur krodh itna adhik tha, ki suraj chah kar bhi khud ko somya ke naagpaash se chhuda nhi paya aur agni kund me jalne laga...
.
Jal to somya bhi rahi thi.... Par jo takleef suraj ko ho raha tha wo somya ko nahi....
..
Suraj, marte marte bolta hai...
Aakhir .. Haar hi gayi na tum somya... Aaj mere sath tum bhi mar arhi ho...
Par mai purn nahi hunn.... Jaanti ho mere guru mahamahim ne mujhe bataya hai ki mere paas mere aatma ka bas ek chauthayi hissa hi hai... Ye mera purn janm nhi hai...
.
Par ye tumhara purn janm tha, purn aatma ke sath... Iska tatpray hai ki mai abhi mara nhi hun... Ha ha ha ha... Mera shareee aur usme mauzud ek chauthayi aatma ka hissa hi to door huaa hai...
.
Somya, ke samne jisprakar suraj ne ye baat kahi, isse sun kar somya ko aur bhi krodh aata hai... Wo fir se jalte huye hi apna roop baalti hai. Aur iss baar wo ek aadhi kanya aur aadha naag ka roop le leti hai....
.
Gusse me nathune phoolate huye wo bolti hai...
.
" AYE DUSHT, MAI NAAGLOK KI RAAJKUMARI, APNE PITA AUR APNE BHAIYO KI PRAN LEKAR YE PRATIGYA LETI HUNN... KI JAB JAB TUMHARA JANM HOGA... TAB TAB MAI MAI TUMHARA WO SHRAP BANKAR JANM LUNGI... JO TUMHARI USS ZINDAGI KO HI KHATM KAR DEGI...
CHAHE TUM ANANT ZANM HI KYUN NA LE LO.... "
.
"Naheeeee, tum aisa nhi kar sakteeeeeeee...... "
.
somya ke muh se aisi pratigya sun kar suraj ek cheekh ke sath bhashm ho jata hai... Aur uske kuchh der baad somya bhi wahin bhashm ho jaati hai...
..
Uske baad sab shant jo jata hai...
.
Varndesh ke baaki sainik aatmsamarpan kar dete hai...
.
Kabeele ke logo ke sath naagraj ka bada beta waha aata hai, aur apne chhote bhaiyo ke dwara wahan jo bhi hua wo sab sunta hai... Usske aakho se aanshu nikalne lagti hai...
.
Tabhi wahan guru maa aati hai aur naagraaj ke bade bete ke sar pe apna hath rakhte huye bolti hai.
.
"Putra, udaash mat ho, inka janm hi iss kary ko karne ke liye hua hai, jante ho aaj jo kuchh bhi hua hai.. Wo matra pratham prisht hai uss katha ka... Jiska ant swaym parbrahm karenge.... Tum adhir mat ho... Tumhare pita aur tumhari bahan ne apna kaam kar liya ab tumhari baari "
.
" Aagya dijiye gurumaa"
.
"Putra, jante ho yuvraaj suraj ka jo purn aatma hai wo devkalyaan aur janmkayan ke liye janm lene bala hai, chunki us aatma ka pahla ansh kaam, krodh, irshya, nafrat, lalach, aur baaki sabhi bolri chizo ka vahak tha , issliye wo iss janam me aisa tha...
Iski aatma tab tak bhatakti rahegi jab tak uska koi dharak nahi mil jata, aur agar wo aatma kisi galat ke hath lag gaya tab bhavishya me aur bhi pareshaniya janm lengi...
Tumhe iss aatma ko apne yahan kaid kar ke rakhna hoga, jab tak usska dharak usse lene nahi aajata...."
.
"Jo agya guru maa"
.
Itna bol kar naag yuvraaj, suraj ki aatma ko kaid kar apni sena ke sath wapas jaane lagte hai. Tabhi guru maa bolti hai...
.
" Aur apni bahan ke baare me zyada mat sochna putra, jis din iss aatma ka dharak aayega, uss din tumhari bahan bhi laut aayegi... "
.
Guruma ki baat sun naagyuvraaj khush ho jaate hai, aur fir wo sab vapas naaglok chale jaate hai,... Kabeele baale bhi guru maa se aashirvaad lekar vapas apne kabeele chale jaate hai....
.
.
(FLASH BACK ENDS - pahle janm ki poori jaankari)
.
.
.
Surajdev aur sharda devi ji issi shrap ki baat kar rahe the, aur aaj sharda devi bhi issi baat pe charcha karne aaye the, darasl suraj pratap ji ne bataya tha, ki agar kabhi bhi kishan ki aankho ki rang me laal rang ka mishran dikhayi de, aur jis waqt wo dikhe uss waqt uske aaspash bijli aniyanttit hote pratit ho to samajh lena ki, uska shrap janm le chuka hai jk usse aaj se 2600 varsh pahle laga tha...
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi, update achhi lage to like kar den.
:reading:
 
परमकाल का परमभक्त... आशक्त, शशक्त!
281
1,155
125
Update kal hi dene bala tha, par kya karu kal raat se hi jo bijli kati hai mere mohalle ki, aaj shaam tak kati rahi thi... Ab ja kar bijli aayi hai. Mobile bhi band ho chuka tha. Aaj mauka mila to update post kar dunga nahi to kal palka
 
परमकाल का परमभक्त... आशक्त, शशक्त!
281
1,155
125
Update 46

Ab tak aapne jana ki kishan ke aatma ka pahla janm aur uss janm ka ant kis prakar hua, sath hi sath hamne ye bhi jana ki kishan ka shrap kya tha aur usse wo shrap kyo laga tha.
.
Ab aage...
.
.
Rudrapur (sheetal ka ghar)
.
"Ma, baba kahan rah gaye hai? Kab ka phone kiye hai aur bataye ki gao ke munderi pe pahunch gaya hun, par abhi tak nhi aaye. "
.
Sheetal adheerta se ghar ke mukhya dwar pe bane bade se kaath ke darvaaje ke chaukhat pe khadi apne pita ki raah nihar rahi thi. Uske pita Jairaj vardhan aaj aane wale the dehradoon se. Unhone kuchh samay pahle hi apni beti ko phone ke madhyam se bataya tha ki wo gao me pravesh kar chuke hai.
.
"Ari lado, tumhare aise darwaje pe baithe rahne se kya tumhare baba samne prakat ho jayenge. Aaja andar. Baith yahan wo aate hi honge. "
.
Sheetal ki maa ne usse samjhate huye boli, par sheetal kahan sunane baali thi, usne ek bar apne ma ko dekhi, fir ana sar jhatak ke wapas samne gali me niharne lagi.
.
Tabhi sheetal ko ek e-rikshaw bala uske ghar ke taraf hi aate huye dikha. Aur tabhi sheetal kudate huye apni maa ke paas gayi aur unhe kheenchte huye bahar darwaje pe le aayi. Uski maa to apni itni badi beti ki bachpana ko dekh kar hi khush ho gayi.
.
Khair milte hai kahani ke ek aur aham patra se
--- Subedar Jairaaj vardhan s/o chaudhari hanshraaj vardhan

Ye zanab hai sheetal ke pita, rudrapur me inka rashook kahi se bhi lala se kam nhi hai, jahan tak ki izzat ki baat kare to inka hi jyada hai.
Inke pita hanshraaj ji aur sharda devi ke pita ji dono milkar iss gao ki nimv rakhe the.
Aise bahut se raaz the jinhe bijendra ji aur jairaaz ji ke alava shirf ek hi shaksh jaanta tha...wo the Late shambhu pratap ji...
Shambhu pratap ji ke bahut upkaar rahe hai jairaaj ji par, jairaaj ji shambhu pratap ji ko apne bade bhai saman mante the. Shambhu ji ke kahne par hi jairaaj ji fauj me gaye the.
.
Chalte hai kahani ke taraf...
.
Jairaaj ji ke ghar ke chaukhat ke andar aate hi sheetal jakar unke gale lag gayi... Jairaaj ji bhi usse jee bhar dular aur pyar dene lage.
.
Kuchh der yun hi hasi mazak chalta raha...
.
Jairaaj ji fresh hone ke baad apne patni aur beti ke sath wohin zameen pe chatayi bichha kar baith gaye....
.
Aisa nhi tha ki unki haisiyat nhi thi ghar me sofa aur kaaleen lagane ki, lekin unka kahna tha ki kam se kam gao me inshan ko apne zameen se juda hua hona chahiye. Aadhunkta ke liye sehar hi theek hai.
.
" Achaa, to kab jaa rhi hai meri lado sehar me padhayi karne. "
.
Jairaaj ji ne bato hi bato me sheetal se puchha.
.
"Nimi bata rhi thi ki kal shaam tak nikalna hai, to kal shaam ko hi niklungi "

"Ohh, waise nimi... Wo pandey ji beti hi hai na... Ussi ke sath rahne baali ho na tum "

"Haann, aap to usse achhe tarah se jaante hai, fir kyun puchh rahe hai "

" Are aise hi meri laado, ab tum pahli baar mujhse aur apni maa dono se door jaarhi ho, ghavrahat to hogi hi na. Bas.... Achhe se rahana aur apni padhayi pe dhyan dena "

"He he... Aap na jab tension me hote ho to bahot cute lagte ho. Kaise army ki job kar lete ho aap. He he "

Sheetal ki baat ko sun kar sab hasne lagte hai, aage bhi aise hi halki fulki baate hoti rahti hai.
.
.
.
Rudrapur- ( bijendra ji ki haveli)
.
.
" Pita ji , kishan jairaaj kaka ke uss tilashmi jungle ke taraf gaya tha, leki ye achha hua ki wo uski had tak hi gaya tha. Maine jaise hi uske muh se suna ki wo uss jungle ke seema tak gaya hai waise hi meri dar se halat kharab ho gayi. "
.
Raghav thakur, apni pita birendra ji se kishan aur uss jungle ke baare me baat kar rhe the, jahan bijendra ji ko uss jungle ki asli vashtavikta gyaat thi wahin, raaghav bas itna hi janta tha jitna baaki ke gai baale, ki wo jungle ek tilashmi shrapit jungle hai.
.
.
" Kyaa.... Kab gya tha kishan uss taraf..? "
.
Bijendra ji bhi chaunkte huye iss baat ki pratiriya diye. Aur fir unhone bhi sawal kar diya.
.
"Kal dopehar wo wahi tha, aur jaante hai badi azeeb azeeb si baat bol raha tha... Jaise ki usse kisi mandir ki ghanti ki aawaz sunayi dena jungle se aur fir mantra ucharan hone ki aawaj sunayi dena... "
.
.
Raghav ne jaise hi iss baat ko bola, bijendra ji apne jagah se khade ho gaye. Unke chehre pe azeeb se bhav aane lage . Jaise ki unhone koi bhoot dekh liya ho.
.
.
"Kahan hai kishan abhi...? "
.
Bas itna hi bol paye bijendra ji, aur unki aisi pratiriya dekh kar raaghav thakur bhi hairaan ho gaye, aur kishan ko bulane uske kamre me chale gaye.
.
.
.
Darvaaje pe jakar...
.
" Kishan... Kishan bete... Drwaja kholo zara.... "
.
Andar se kisi ke chalne ki aawaz aayi....
.
Darwaja khula.... Andar shirf rajnish tha...
.
Raghav thakur andar aaye... Aur bole..
.
" Rj beta, kishan kahan hai... Usse pita ji bula rahe hai... Shayad kuchh jaruri baat karni hai. "
.
.
Rajnish - chacha ji kishan shayad nimi ke ghar gaya hai, usse kuchh kaam tha, issliye usne call ki thi.
.
Raghav - achha, to use call kar ke hi bula lo. Mai neeche uska wait karta hunn.
.
Rajnish - ok chacha... Ap jaiye.. Mai abhi usse bulata hun.
.
Raghav ke jaate hi Rj ne kishan ko call lagaya...
.
" Hello... Kaha hai be ...? "
.
" Are yaar, aaj sheetal ke papa aaye huye hai bhai... Nahi mil sakta usse to socha idhar hi ghoom loon thoda... "
.
" Abe lode, Tu ye bata na ki abhi kaha hai... "
.
" Mai abhi wahi hun, jahan kal ham sab aaye the, ussi jheel ke paas... Jungle me"
.
" Kyaaa... Abe utni door... Kya raha hai be wahan... Pakadne gaya hai kya kisi ka "
.
" Saale, kya hua ye bata... Phone kyu kiye ho..? "
.
"Abe bhadve, bijendra dada tujhe bula rahe hai wo bhi abhi. Ab bata kaise aayega tu.. "
.
" Bhai.. Kuchh bahana bana de na, mai ekadh ghanta me aajaunga "
.
" Abe Mai pahle hi bol chuka hun tu nimi ke paas hai, tu rakh mai kuchh sochta hunn"
.
Uske baad rj, kishan ka call disconnect kar deta hai aur neeche jaane lagta hai.
.
" Haan, to wo aarha hai na "
.
Raghav ji ne poochha.
.
" Wo chacha... Nimi ka koi jaruri project hai, aur usse aaj hi aadhe ghante me pnline submit karni hai. To kishan aadhe ghante ke baad hi aayega. "
.
Bijendra - koi baat nhi, wo jab aaye tab usse mere kamre me bhej dena.
.
Itna bol kar bijendra ji al e kamre chale jaate hai.
.
Tabhi wahan radhika aajati hai jisse dekh kar raghav haveli se bahar chala jaata hai, abhi bhi bahot naeazagi thi.
.
Khair Raghav ke jaate hi, radhika rj ke paas jakar baith jaati hai.. Rj bhi itne din se dekh raha tha ki radhika sach me pashchatap ki agni me jal rahi thi.
.
Radhika thodi parehan lag rahi thi, jise rj ne notice kar liya.
.
Rj - chachi ji, koi problem hai kya, aap itni parshan kyu hai.
.
Radhika - wo... Wo abhi pinki pe papa bol rahe the ki kishan ji uss shrapit jungle me gaye the, unhe wahan nahi jana chahiye tha, wahan uske andar jo bhi gaya hai wo kabhi wapas nahi aaya hai. Wo tilashmi hai.
.
Rj ( man me) - kahi kishan uske andar to nhi jaane wala hai, mujhe bhi wahan jana hoga kahi kishan kisi mushibat me fas gaya aur..... Usse kuch ho gay to....
.
Rj - are aap tension mat lo chachi... Wo to Kal ki baat thi, aur mai, nimi aur sheetal bhi shat me hi the, un dono ko us jungle me jaane ki hadd pata thi.. To ham jyada andar nhi gaye the, bas ek jheel tak hi gaye the.
.
Radhika - tab to theek hai, waise aapne mujhe maaf kar diya kya?
.
Rj - are chachi, jiski koi galti hi na ho usse maafi ki kya jarurat... Aap befikar rahiye maine aapko maaf kar diya.. Aur haan mujhse bhi pahle aapko kishan ne maaf kiya tha ...
To tension nhi lene ka... Okk chachi mai jara kishan ke paas jata hun nimi ke ghar.
...
.
Rj itna bol kar havelie se bahar nikal gaya.
.
.
.
Jungle me
.
.
Kishan, filhal wahin jheel ke paas baitha tha, usse samajh nhi aarha tha ki uske sath aisi azeeb azeeb si ghatnaaye kyu ho rhi hai..
..
Kal usse door kiaawaje sunayi de rahi thi... Jiska praman bhi usse mila tha, aur aaj... Aaj to hadd hi gayi...
Aaj usse kuchh pal ke liye deevar ke aarpaar dikhayi dene laga tha.
.
Darasal jab kishan sheetal ke ghar ke paass pahuncha, aur apni bike ide lagakar ghar ke andar jaane laga, tabhi uske sar me dard hone laga. Itna tez dard ku wo apne sar ko pakad kar wahi baith gaya.. Kuchhh pal baad jab uski dard khatam huye. Aur wo apne nazro ko uthakar aage dekha... Usse laga 440 volt ka jhataka.. Usse ghar ke andar ki sabhi drishya ekdam 4k view me dikh raha tha... Aur bas dikh hi nhi rha tha, balki wo saaro baat ko bhi bilkul aise sun pa raha tha, jaise ki koi uske saamne bol raha ho.
.
.
Inhi sab baato se pareshan hokar kishan uss jheel ke kinaare baitha vichar kar rha tha...
.
Ki... Achanak firse usse ghantiyo ki aawaj aane lagi.... Aur aaj ki aawaj Kal se saaf tha, aise jaise ki mandir bas bagal me hi ho.
.
Kishan ke kaan fir khade ho gaye. Usse sheetal ki baat yaad aane lagi. Ki yahan koi mandir nhi hai.
.
.
Par wo aawaje, .. Abhi kishan un ghantiyo ki awaaj ka shrot janane ke liye vyakul ho hi raha tha ki unn ghantiyo ki aawaj ka sath dene ke liye mantrocharan ki bhi aawaje aane lagi.. Wo bhi ek sur ke sath...
..
.
Aawaje itni saaf thi ki, uske baare me sochte sochte kishan ka sar dard se fatne laga. Usne apne kaano pe haath rakh liya. Aur jor jor se chillane laga...
.
Tabhi achanak wo aawaje aana band ho gaya...
..
Kishan jaise hi akni aankhe kholta hai... Usse fir se jungle ke pardarshi dikhne lagta hai. Aur usske andar lagbhag 2 mile door usse ek mandir jaisa kuchh dikhta hai...
.
Kishan ki kadam khud ba khud uss mandir ki kre jaane lagti hai...
Abhi kuchh hi kadam aage chala tha kishan ki tabhi....
.
.
.
Trimathpur. ( sharda ji ki haveli)
.
.
" Avni, khushi ,neha......kya school nahi jana tum sab ko... Chalo jaldi se nashta karo... Bahot din chhutti kar liye ho tum sab "
.
Sunaina devi ( chhoti chachi) khane ke table pe nashta lagate huye neha, khushi aur avni ko aawaj deti hai.. Kuchh hi deri me wo teeno bhi niche aajate hai.
.
Teeno apne apne vicharo me khoye huye the, hamesha chul bul rahne baali avni aur khushi bhi shant thi, aur neha to pahle bhi aise hi raha karti thi jyadatar.
.
Khair ye sab nashta karte hai, aur fir ek caar me baith kar nikal jaate hai, apne chhote se sehar ki inki khud ki college me,
Ji haannn, ye college shambhu pratap ji ka hi hai. Par neha, avni aur khushi ne kisi ko bhi ye nhi bataya hua tha ki ye college uska hi hai.
.
.
Kair wo teene college pahunchte hai, ... Neha... Science ki student thi to iski class alag thi...
Wahin Avni aur khushi commerce ki student thi to inki class bhi alag thi.
.
. Avni aur khushi apne apne class chalo gayi... Wohin neha bhi apne class jaane lagi tabhi usse koi aawaz deta hai....
.
.

Aaj ke liye itna hi, deri ke liye maafi... Kya karu... Saali bijli aajkal apni maiya chuda rahi hai madarjaat... Koi na maine powerbank le liya hai.. Ab phone band hone ke chances kam rahenge... Khair update achhi lage to like kar dena
 
Member
213
269
63

Lajawab updated tha maja agaya
 
Top