Thriller GaLaTH...(THE WRONG THAT MADE EVERYTHING RIGHT)written by vj4u

Member
182
254
43

AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF SONU KA MAZAK UDAANE PAR SANVY CHOUBEY MISS KE KHILAAF STAND LETA HAI WAHIN DUSRI TARAF DIMPLE KO SIKHANE KE LIYE SANVY TAIYAR HO JAATA HAI.

AB AAGE:-

CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)

UPDATE-58

DATE-1ST MAY 2029

(A GLIMPSE OF THE FUTURE)

AREA-NORTH AMERICA

PLACE-TIAGA BOREAL FOREST

REPORT OUR LOCATION....!!!

chopper se utarne ke baad jaise hi woh automatic bird hume chhod wapas ghoom door gaya toh apne hand bag se MBITR as in multiband inter/intra team sat phone nikaal piche ki taraf throw kiya maine jisse turant lapak liya DIMPLE ne...

DIMPLE-THIS IS DIMPLE BATRA...*** AUTHORIZATION CODE 10001, REPORTING OUR LOCATION....

hum BOREAL west 46/49 outskirts ke edge par pahunch chuke hain..

our exact location is latitude 53 degree west...

and now we are heading inside... time of entering the non hostile ground,2300...( night,11 pm..)

over and out...

sat phone par reporting karte hue apne bade se ruck sag bag ko kandhon par laade mere piche piche chal rahi thi DIMPLE....

forest area ke edge par pahunch chuke the hum jahan pahunchte hi neeche jhuk wahan moujud safedh mitti joki dekhne se barf ki tarah dikh rahi thi,usse press kar kuch check karne lag gaya tha mai...

DIMPLE-toh ye hain CONIFEROUS TREES....

forest ke andar ghus chuke the hum jahan hamara swagat chaaron taraf kudrati tour par bane bade bade CONIFEROUS TREES ne kiya tha...

chaand tha aasman me par roshni kaafi kam thi.. hamare haathon me hamari torch lights thi jjnki roshni ke sahare hum aage badhte jaa rahe the...

MAI man me-BOREAL... wakayi kamal ka forest hai ye... not dense but too huge..lag raha hai jaise puri duniya hai ye...

DIMPLE-soil is wet...

MAI-what else do you expect..!!!yahan ka summer paani barsata hai aur woh bhi achanak...

radio andar rakh lo..

DIMPLE-rakh liya hai...kya lagta hai, unka base kitna andar hoga...!!!!

MAI-approx,8 kms...

DIMPLE-how do you know...!!!!???

jahan jaa rahe the hum,us jagah ke exact location ki koi khabar nahi thi hume..

aise me mere jawab se DIMPLE ka hairan hona laazmi hi tha...

MAI-ye dekho... seeing the dots...they are humans...

calculator jaisa dikhne waala ek chota sa device aage kiya maine DIMPLE ke jisse dekh ek baar phir aankhein badi ho gayi thi uski...

DIMPLE-ye....ye toh wahi HEAT SIGNATURE IMPULSE SCANNER hai naa jo aapne college....

aage bolte bolte rook gayi thi new girl aur maine bhi kuch kaha nahi...

uske haath se apna device lekar apne pocket me daal liya tha maine...

HEAT SIGNATURE IMPULSE SCANNER...kisi bhi unknown aur non residential jagah par 10 km ke range me kisi bhi living body ke heat ko capture kar exactly read karne ki quality hoti hai isme...

mera khudka invention hai ye...

abhi bhi mere device me kareeb 10 heat signatures show ho rahe the...

DIMPLE-how can you be sure ki wahan human hi hain.. jaanwar ka herd bhi toh ho sakta hai...!!!

MAI-thermal readings faint hai joki human existence me hi hote hain..animals hote toh dense hota...

sawal ho gaye hon toh move fast now...counting abhi 10 ki hai par i am sure ki ye reading base ki nahi,uske aage kisi safe surrounding ya fence ki hai..

numbers badhne ki possibility hai which will not be good...

apni baat bol mai un CONIFEROUS TREES se hota hua aage badh chuka tha..

DIMPLE bhi mere piche the...hum dono ne hi apne apne torch 45 degree angle par palm se sataya hua tha aur ungliyon ke giraft me hamare ED brown pistols chamak rahe the..

thoda tez par behadh chowkanne the is waqt hum dono..kareeb 20 minutes forest ke andar chal chuke the hum par tabhi..

mere aur DIMPLE, dono ke hi kadam ek saath rook gaye the...

REASON....

CONIFEROUS TREES ka woh aad jiske cover me hum ab tak aage badh rahe the,woh 10 metre me khatm hone waala tha...

uske aage tha ek 150 metre lamba aur lagbhag utna hi chowda open ground...

matlab saaf tha..us ground me cover rakhte hi we were going to be completely open...

kisi bhi tarah se chhupne ka koi chance nahi tha..

but achi baat ye thi ki mere banaye heat signature impulse scanner me abhi bhi kisi living body ka sign kareeb 5 kms door tha..

mere is device ko dodge ya manupalate nahi kiya jaa sakta tha...

atleast mujhe toh itna confidence tha hi...

DIMPLE-are you sure aapke device ko trick nahi kiya jaa sakta..

MAI-scared..!!!wapas jaa sakti ho...

meri baat par kuch keh nahi paayi DIMPLE..usse paused dekh aage badhne ko hua hi tha mai ki tabhi...

DIMPLE-can i shield....!!!!

MAI-go ahead...

scared..!!!mere is alfaz ka jawab diya tha DIMPLE ne...

mere haan bolte hi apne torch aur revolver, dono par grip thoda aur strong karte hue aage badh gayi woh...

apne apne knees ko halka bend karte hue badi chapalta se us open field me aage badh rahe the hum dono..

75 metres matlab ki aadha ground bina kisi rukawat ya danger ke araam se cross kar chuke the hum...

MAI-DIMPLE STOP...!!!!!

halke zor se boli thi maine ye baat par phir bhi fraction of the second se late ho chuka tha mai...

DIMPLE-ELECTRONIC MOTION SENSOR TRIGGER WIRE...SHIT....

field ke mid way par ek infrared ray,ek beam lagayi gayi thi joki ek security alarm hota tha...

jahan se bhi is device ko operate kiya jaa raha hota tha,kisi ke is beam ko touch karte hi wahan syren jaisa bajne lagta tha...

DIMPLE-sorry....

DIMPLE ka sorry jaise suna hi nahi tha maine..apne device me movement check karne me laga tha mai joki surprisingly normal hi tha..

wire trip hone par signatures ko speedily move karna chahiye tha par aisa kuch hua tha nahi...

they were all normal as before...

MAI-heat signatures ke movement abhi bhi normal hai..

DIMPLE-really...!!!but kyun...!!i mean tripping se alarm toh baja hi hoga...

MAI-hmm.. let's keep moving...and this time,try to be a bit more careful...

dobara aage badh chuke the hum par is baar chowkannapan pehle se double tha..

kuch hi der me woh maidan cross kar chuke the hum..

waise maidan bhale hi cross hi chuka tha par aage ka area abhi bhi kaafi open hi tha..

agle 200 metre tak koi bade pedh nahi the...

tiaga regions me ugne waale normal shrubs,mosses jaise chote chote poudhe aur phool thi dikh rahe the hume bas aur woh bhi har taraf nahi balki thode thode parts aur ek dusre ke gaps me...

DIMPLE-kaise dekh liya aapne us electronic trigger wire ko..it was invisible for naked eyes aur infrared binoculars abhi tak hamare bags me hi hai..

MAI-wire ke dono siro par zameen se lag behadh dim green lights flash ho rahe the..

ab zameen me aur aise open area me jugnoo toh chamkenge nahi..

hence, trigger wire....hold....

woh chote chote phool aur poudhe waale region me pair rakhne hi waale the hum ki tabhi DIMPLE ke haath ko pakad usse thoda piche kheench liya maine..

DIMPLE-land mines,right..!!!!

zameen me jhuk soil ko utha usse check kar hi raha tha mai ki tabhi DIMPLE ki baat sun palta mai uski taraf aur...

MAI-aisa kyun laga tumhe..!!!???

DIMPLE-forest edge par aap wahan ki soil check kar rahe the...

aapko pata tha ki mines bicche hone ka khatra hai jungle ke andar isiliye woh soil check kiya tha aapne..

cold aur wet wheather ki wajah se yahan ki soil acidic hoti hai aur extra hard bhi...

but most importantly, soil surface ke andar moujud permafrost joki frozen soil se banta hai,woh mines bichane waale case me soil ke acid ko slow poison me badal deta hai that results a small change in the colour of the soil..

white layers ke beech black blemishes create hote hain soil me joki yahan dikh rahe hain..

MAI-you are right...good...

DIMPLE-yahan se mines ka diameter kareeb 80 metres ka hai...

apne night sight binocular ko nikaal aage ke area ko check karne lagi thi DIMPLE..

ayr phir binocular ko neeche kar..

DIMPLE-how do we pass this 80 metres without stepping in any of the mines..

MAI-these shrubs and moses will help us...

DIMPLE-matlab...!!!

MAI-i will explain on the way..follow me...

ye bol halka jump lete hue ek shrub area me land hua mai aur phir waise hi ek dusre moses ke upar jump laga diya maine..

DIMPLE was following me..

MAI-permofrost sirf soil ko hi posion kar sakte hain,par fertile blocks me uge poudhon aur phoolon ko nahi...

par agar phoolon aur poudhon ko ukhaad wahan mines lagaye jaayen toh permofrost ka asar double ho jaata hai...the whole area becomes dark and with that suspicious...

isiliye mines lagane waale ne in poudhon aur phoolon ko mines free hi rakha hoga...

in areas me bhi mines lagana,usse pata tha it wont work..

par pata hai kamal ki baat kya hai...!!!

SOOBH....

MAI-tumhe bhi pata hona chahiye ki piche se SANVEER AHARYA par waar karna,it also won't work...never...

DIMPLE jisne apne back belt se ek badi si knife nikaal mere back head par aim karke throw ki thi,bijli si tezi ke saath ghoom us knife ko apne maathe se 2 inch door catch kar liya tha maine...

wahin DIMPLE face par shock,nafrat par most importantly, aankhon me dher saara dard liye hue mujhe hi dekh rahi thi...

MAI-COLD STEEL CHAOS BOWIE KNIFE.... common DIMPLE...kuch toh empathy rakho..

jis knife se meri MAA ne kabhi tumhari jaan bachayi thi,ussi se unke bete ki jaan lene chali thi tum...(RASHID REZA UPDATE)

DIMPLE- empathy....woh bhi tum jaise RUTHLESS, HEARTLESS COLD BLOODED MURDERER se...kaise pata chala tumhe...!!!

MAI-you know,this is what i so like about you.. itne challenging time me bhi apni curiousity kam nahi hone deti tum...

khair, SANVY ne toh hamesha tumhari saari curiosity calm ki hai,aaj bhi karega...

waise logic zyada tough nahi hai...jis ladki ko yahan ki soil,uski fertility,performost,uske side effects ke baare me pata ho,kya usse mines ke exact pin point location ke baare me andaza nahi hoga..

tumhare is jagah ke defination ne plants,flowers aur unka mines par prabhav,inke baare me tumhe pata hone ke logic ko clear kar diya tha...

aur sab kuch pata hone ke baawjud,unlike DIMPLE BATRA jo shield lene ke liye hamesha taiyar rehti hai,you remained back...

strange right...!!!

knife swing karte hue smile kar raha tha mai aur meri ye smile andar hi andar maar rahi thi DIMPLE ko..

DIMPLE-waise acha hi hua ki knife se bach gaye tum...

medulla oblaganta me pierce hota knife causing you instant death...usme kya maza...

before dying,i want you to suffer...

phoolon aur poudhon ke upar se jump lete hue theek jahan mai khada hua tha,wahan pahunchi DIMPLE aur...

SOOBH..SOOBHHHH...SOOBHHHH.....

hawa ko cheerte hue uske haath zig zag aur swingy pattern me ghumne lage the mere sharir par...

LAND MINES area ke beech khade the...agar hum dono me se kisi ek ka bhi pair ya koi bhi body part mine soil ke upar padh jaata toh dono ke liye hi game over tha but DIMPLE..

usse is baat se naa fark padna tha aur naa pada..

DHAKKKK..

teen aur sliding moves ke baad DIMPLE ka left hand fist merr chin par padh hi gaya..

shoulder joints ke pure pressure ko use karte hue bohot hi powerful hit tha ye jisne mere dono pair zameen se ukhaad se diye the..

hawa me piche ki taraf palath sa gaya tha mai par isse pehle ki mere pair zameen ko pura chhodte,floor pressure ko use kar pairon ko jhatka sa diya maine..

result...

back flip sa maarta hua pura 360 degree ghum sa gaya mai..

but kyunki ek lade hue bag ke saath back flip maarne ke liye jitne pressure ki zaroorat padti hai,utna floor pressure essert nahi kar paaya tha mai isiliye apne pairon me nahi balki girte hue apne thighs ke bal gira tha mai..

but thanks to my fast thinking,kyunki ghutne se neeche ka area maine fold kiya hua tha isiliye poudhon waale area ke edge par hi rook gayi thi meri body..

ek lambi saans chhod khada hua mai aur apne kapde jhaadte hue DIMPLE par nazar gayi meri jo mujhe hi ghoor rahi thi..

MAI-not bad, finally you have nearly perfected...

"THE AUTHORITY MOVES"...

BACK TO 2020:-

DATE-30TH JULY

CITY-DEHRADUN

PLACE-URJA PARK

WHAT'S WITH THE EXTRA EXCITEMENT...KOI MAGIC NAHI SIKHAANE WAALA MAI...!!!

apne promise ke exact hafte ke baad new girl ke is naye learning path ke liye hum dono morning ke 6 baje yahan the, dehradun ke outskirts me bane URJA PARK me..

face par new girl ke excitement kisi bacche ki tarah joki magic show me jaane se pehle ki hoti hai par jisse dabane ki puri koshish kar rahi thi woh,phir bhi saaf jhalak rahi thi...

DIMPLE-jo chizen maine tumhe karte hue dekha hai but most importantly,woh cheezen jo tumne kabhi ki nahi hai mere saamne par i have presumed that..

kabhi nahi socha tha maine ki that all can be real...

but ab woh saare once in a life learning lessons mai sikhne waali hun, excitement toh hoga hi...

par ek baat batao, dehradun se itni door is abandoned aur unfinished government project waale park me kyun aaye hain hum...???

MAI-answer ka chota part tumhare sawal me hi hai...it's abandoned...itna gigantic garden hone ke baawjud bohot kam log aate hai yahan aur itni subah toh bilkul bhi nahi...

unfinished project zaroor hai ye garden par the grass covering is good here...trees ki counting bhi kaafi hai jis wajah se bohot achi breeze 24/7 behti hai har taraf...

DIMPLE-aur cool breeze kisi bhi tarah ke intense training me soothness laane ka kaam karta hai...

MAI-haan par mujhse sikhne ke liye tumhe soothness sirf dimag me chahiye hoga and this place will help in that...

so ready for lesson number one..!!!

DIMPLE-always...

MAI-there is nothing as LESSON...

lesson ek aisi cheez hai jo by heart ki jaati hai..aur by hearted seekh ek waqt ke baad yaa toh hum bhool jaate hai ya phir out of practice ho jaate hain...

but on the other hand,if we LIVE what we learn,toh woh seekh hume hamare grave me jaane ke baad hi chhodti hai...

jo bhi tumne dekha hai mujhe karte hue ya phir assume kiya hai ki mai kar sakta hun,woh saari chizen maine sikhi nahi hai..

jee hain...ab tumhari baari...par usse pehle...

"IN FEARFUL DAY,IN RAGING NIGHT...

WITH A STRONG HEART,FULL MY SOUL IGNITE...

WHEN ALL SEEMS LOST IN THE WAR OF LIGHT...

LOOK TO THE SKIES FOR THE HOPE BURNS BRIGHT...

WHEN IMPORTANT,ONLY THEN I WILL FIGHT...

IN THE WORLD OF WRONG,I WILL DO WHAT'S ONLY RIGHT...

heart ke upar chest par apne haath rakh bole the maine ye saare lines jinhe sun aankhen hairangi se thodi bhar uthi new girl ki aur...

DIMPLE-oath..!!!are you serious..???

MAI-very...anti-caking additives.. washing detergent me paaye jaana ek chemical hai ye jisse kapde dhone jaisa harmless product bhi banta hai aur jaan lene waala explosive bhi...

skill se zyada important uska use hota hai..

jo oath maine bola aur ab tum bologi,if you are a correct person by heart,you will forever respect and follow the words..

yaad rahe,jo bhi tum sikhogi,koi school ya college ka regular drill nahi hoga..

it's gonna be serious..very, very serious...so...

DIMPLE-khudko check me rakhne ke liye,oath..i get it and i am ready...

MAI-kis GOD me yakin rakhti ho..???

DIMPLE-i believe in the power,not the image...

BRILLIANT...

new girl ki soch joki mujhse bilkul bhi alag nahi thi,usse jaan man hi man gesture diya tha maine usse...

MAI-then oath lete waqt ussi power ko zehen me rakhna...

DIMPLE-sure..

IN FEARFUL DAY,IN RAGING NIGHT...

WITH A STRONG HEART,FULL MY SOUL IGNITE...

WHEN ALL SEEMS LOST IN THE WAR OF LIGHT...

LOOK TO THE SKIES FOR THE HOPE BURNS BRIGHT...

WHEN IMPORTANT,ONLY THEN I WILL FIGHT...

IN THE WORLD OF WRONG,I WILL DO WHAT'S ONLY RIGHT"...

meri hi tarah chest ke upar haath rakh pure dil se oath repeat kiya tha new girl ne..

DIMPLE-so, what am i living today...???

nice.. learning ki jagah living joki mera tarika tha,use kiya tha new girl ne jispar smile karte hue left ki taraf badh gaya mai par agle kuch palon me jab ek bade se transparent polithin ko lekar wapas louta mai jisse dekh thoda zyada hi hairan ho gayi new girl...

DIMPLE-onion,tomato,carrot, cabbage...ye sab kya lekar ghum rahe ho tum...???

MAI-you missed radish..(mooli)

paas hi bane ek bench par un saare raw vegetables ko palat diya tha maine..

MAI-saw anything common...!!!

DIMPLE-sab 5,5 hain...

MAI-yup matlab tumhare paas 5 mouke hain...

DIMPLE-for what...!!!???

kuch kaha nahi maine balki apne track pant me fasa kar rakhe ek chiz ko bahar nikaal liya jisse dekh...

DIMPLE-ye toh wahi CRAFTSMEN MEZZALUNA SLICER knife hai naa jisse tumne us din salad kaata tha..

halka smile kar raha tha mai new girl ko dekh jiska matlab turant samajh gayi thi woh..

DIMPLE-are you serious...!!!salad kaatna..ye hai mera first learning task...!!!!

MAI-onion,tomato .95 A.o...cabbage 191A.o...carrot and raddish .65A.o...

DIMPLE-their radius....

MAI-haan..is knife se aise kaatne hain tumhe ye saare raw vegs ki in sabka cutting breadth exact c.m me calculate ho..exact c.m..

DIMPLE-aur kya hoga aisa karne se...!!???

MAI-first rule for learning..no questions..i say, you do,am I clear..!!!

meri awaaz me jo command tha,usse sun ek pal ke liye aisa laga DIMPLE ko jaise woh is waqt kisi high intensity army drill ka hissa hai aur saamne uske uska handler khada hai...

DIMPLE-understood..

ek shabd ka exact wahi jawab diya tha new girl ne jo sunana tha mujhe..

MAI-knife ke vegs ko touch karte hi your time starts..

i.e.2 minutes par try...

DIMPLE-what..!!!2 minutes...exact angles samajhne me kaafi waqt lag jaana hai..

MAI-toh lagne do..abhi ke liye you have five chances...now start...

meri baat sun ek lambi saans chhodi new girl ne aur mere haath se knife lekar us bench ki taraf jahan saare vegs joki uska task the, badh gayi woh..

onion aur tomato, carrot aur radish jodiyon me the isiliye unme se ek ek nikaal aas paas rakh diya new girl ne..

lastly cabbage bhi nikaal liya tha usne aur phir saare vegs ko alat palat karte hue unke angles samajhne lagi thi woh...

apni ungliyan ko scale,compass aur divider ki tarah use me laa vegs ke pure length aur breadth ko check karne me lag chuki thi new girl..

finally jab usse saare angles ko partial knowledge hone laga toh knife hold kiya usne..

maalum tha usse ki knife ke kisi bhi veg par rakhte hi uska given time shuru jo jaayega isiliye mujhe ek baar dekh lambi saans chhod saare calculations ko dimag me set kar usne knife sabse pehle onion ke upar rakh diya jiska matlab tha,her time had started...

SHIT...

par ye start kuch hi palon me end tak pahunch chuka tha..

angles chhodo,yunhi normally bhi tezi se onions kaatne me amateur thi new girl..

pehla slice hi tedha cut hua tha uska..jo angle banana tha, woh nahi ban paaya tha..

DIMPLE-first attempt toh fail ho gaya..kya mai practice ke liye baaki vegs par try kar sakti hun..???

MAI-sure..

DIMPLE-and it wont count as a try..!!!

MAI-sure...

jo leverage diya tha maine,usse sun khush ho gayi thi new girl par ye khushi zyada der tak tik nahi paayi thi...

reason..

onion ki hi tarah kisi bhi veg ko dhang se kaat nahi paayi thi woh.

frustration ne hadh se zyada ghar kar liya tha uske man me par face calm rakh apne second attempt ke liye ready ho gayi thi new girl..

par us patience ne kuch pay kiya nahi usse.. second ke baad third,fourth aur apne fifth as in final attempt me bhi completely fail ho gayi thi new girl..

DIMPLE-shit...shit...shit....shit...i am not doing this shit anymore...

MAI-karne ke liye attempt bacha bhi nahi hai... paanchon attempts aur mera budget, dono khatm ho chuke hain...

DIMPLE-attempt hote bhi toh nahi karti mai...

MAI-kyunki first time in life,kisi task me fail ho rahi ho tum..?? continously...!!!

DIMPLE-please..ye koi task ho hi nahi sakta...aur agar nahi sikhana tha toh first time ki tarah mana kar dete..

ye prank karne ki zaroorat kya thi..!!???

MAI-ye koi prank nahi tha...

DIMPLE-really... matlab tumhare saare heroics ka base salad kaatna hai..!!!

mock kiya tha new girl ne mujhe jispar smile kar aage badha mai aur uske paas pahunch...

MAI-may i..

apna knife maanga maine new girl se aur uske mujhe knife hand karte hi..

KTKTKTKTKTKTKTKTKT....

adha tircha jo shape de diya tha new girl ne saare vegs ko,unhe apne hisaab se angles banate hue kaatne chhatne laga tha mai..

jis speed se ye sab kar raha tha mai,new girl was quite surprised with my hand speed..

90 seconds.. exactly itne waqt ke baad mera hand movement rook chuka tha jiske baad knife chhod left me neeche baith gaya mai aur..

DHBBB..DHBBB..DHBBB..DHBBB...DHBBB...

apne chaar ungliyon ko fork ki tarah halka curve angle dete hue neeche lagi ghaans me zor se haath maara maine...kul paanch baar.

mere aisa karte hi ghaans aur uske neeche chuppi mitti ud si gayi aur agle hi pal un paanchon spots me gadhe ho chuke the..

MAI-vegs lekar aao..

meri saari harkat dekh confused face ke saath mere slice kiye onion,tomato,carrot,radish aur cabbage ko liye aayi new girl mere paas jiske baad..

MAI-pehle do gaddhon me onion aur tomato ko daalo..phir carrot aur radish and final hole me cabbage...

mere instruction ko sun neeche baith gayi new girl par jaise hi pehle hole me onion ko daala usne toh aakhein hairangi ki hadh tak failti chali gayi uski..

reason...

.95A.o...woh hole exactly utna hi bada tha jitna onion ka radius tha...

onion ko us hole me rakhne kw baad new girl ne turant tomato ko next hole me daala aur aisa karte hue bhi uski hairangi ka thikana nahi raha..

second hole ka radius bhi exactly utna hi tha jitna first hole ka tha...

itna hi nahi tomato aur onion, dono ke edges bhi exactly same cms ke kaate the maine..unki fitting hole me bilkul same baithi thi...

aur ye sab sirf onion aur tomato waale gaddhe ke hi nahi balki baaki teeno holes ki bhi kahani thi..

agle dono holes ka radius bhi exactly .65.A.o tha and finally cabbage ka .191.A.o...

bilkul waisa jaise shuru me bataya tha maine..saath hi saath unke cutting edges ke angles bhi same the..

fifth hole me cabbage ko daal apni vismay se bhari aankhon ke saath dekhne lagi mujhe new girl aur...

DIMPLE-this is bloody impossible...kaise kiya tumne ye..!!

MAI-balance..aisa word hai ye jispar ye pura planet tika hai phir ye mamuli hits kya chiz hain...

kisi ko hit karna badi baat nahi..par us hit ka exact impact reassure karna,ye badi aur zaroori baat hoti hai..

hamare haath,pair,sharir ke har ang aur unse release hone waale pressure par hamara complete control zaroori hai..

aur is balance,is technique ko master karne ka sabse best tarika hai chop salads..

kyunki vegs slightly spongy hote hain but at the same time,they are tough from within..

isiliye knife ke through unke perfect shape ko angle dena,its tough..

usse bhi tough hota hai unke slices ke on point cms tak ko calculate karte hue unhe kaatna..

par agar aisa karne me master kar liya jaaye toh...

DIMPLE-a person can know the exact dynamics of his or her wrist strength but more importantly,how to use that strength...

saare ganit ko samajh jaise ek baar phirse apne aap me hi surprise ho gayi thi new girl...

MAI-exactly...so,agar ab bhi sikhna chahti ho toh ghar jaao and practice what you tried here...

DIMPLE-oh i will..and sorry..tumhare methods par shak karne ke liye...

new girl ki baat par bas smile dete hue palath gaya mai jiske baad woh bhi turant mere saath ho li thi..

garden route bhar jahan mai pure park ko dekhne me laga hua tha wahin new girl ke dimag me bas woh pehla task hi ghum raha tha..

dekhte hi dekhte hum garden ke entrance gate ke paas pahunch chuke the par tabhi kuch click hua new girl ke dimag me aur..

DIMPLE-hey,ek sawal hai mera...!!!!

MAI-pucho..

DIMPLE-that night in mossy falls jab tum ladh rahe the us aadmi se toh i felt something..

aisa laga mujhe jaise apne hi nahi balki saamne waale ke moves bhi tum direct kar rahe ho...

new girl ki baat par is baar surprise hone ki baari meri thi..

i knew ki she has sharp eyes and a very good observation skill but jo abhi bataya usne,usse saaf pata chalta hai ki wakayi bandi me dum hai.. bohot dum...

wahin mere expressions ko dekh samajh gayi new girl ki uska andesha sahi tha..

DIMPLE-i knew it...mai sahi hun,right..!!!please batao mujhe,kaise kiya tha tumne woh..!!

MAI-"THE AUTHORITY MOVE".aisa move jisme hamare opponent ko pata hi nahi chalta ki uake daaw woh nahi balki hum direct kar rahe hain...

it's like hacking someone's mind and inserting our inputs...

DIMPLE-what...!!!kisi ke dimag me apne hisaab se thoughts daalna..ye kaise possible hai..???

MAI-naa mind hack karna odd hai naahi kisi ko apne hisaab se trap karna odd hai...

MAI-chalo,let me prove it to you..

DIMPLE-i am all in...

MAI-1 se 9 tak koi bhi ek number chuno aur mai bata dunga ki kya chuna hai tumne...

DIMPLE-really..!!!

MAI-ab ye bhi odd lag raha hai kya...ofcourse..common,2,3,4,5.. jo bhi number chunana hai tumhe, select....

DIMPLE-okay..

MAI-man me zor zor se bolo 7,7,7,7...

DIMPLE-hahahaha...haar gaye tum..7 nahi soch rahi thi mai...

MAI-jaanta hun..9.. that's the number...

new girl ki smile ek jhatke me gayab ho chuki thi...sahi number jo bata diya tha maine...

DIMPLE-how...!!!how did you know...???

MAI-aur kaise,i hacked your mind...

DIMPLE-common yaar..be serious..

MAI-mazak nahi kar raha hai.
acha batao,kuch der pehle ye hack waale sentence ko bolte waqt kaun se shabd ko repeat kiya tha maine..

meri baat sun new girl ke dima ka rewind button click ho chuka tha..

DIMPLE-ODD....

MAI-right.. aur uske baad numbers bolne se pehle bhi ek baar phirse ODD word use kiya tha maine..

isiliye jab maine 2,3,4,5 ye numbers bole toh tumhare subconscious mind me basa ye ODD word trigger hua..

you were bented towards odd number...ab 1 bohot common odd number hota hai..3 aur 5 maine bol diye the..7,5 ke baad next odd number hai which makes it look easy to predict isiliye tumhare dimag ne 9 chuna ya phir ye kahun ki..

DIMPLE-tumne mere dimag ko bina bole hi majboor kiya 9 select ke liye....outstanding......

MAI-i know..asta labista babe's..kal school me milte hain...

garden ke bahar jahan meri B.M
X aur new girl ki car khadi thi, pahunch chuke the hum..

aur kyunki mera demonstration pura ho chuka tha isiliye B.M.X me baith jahan aage badh gaya mai wahin ek baar phirse aankhein badi kar mujhe piche se jaata hue dekh rahi thi new girl..

labh sile hue the uske par dil aur dimag..unhe toh bolna hi tha aur woh bol bhi rahe the..

DIMPLE-hai kya ye ladka...!!!

sanjeevni buti sa hai,jo khaa le phir woh MAR NAHI SAKTA...

us abhedhya diwaar ki tarah hai jiski suraksha milne waala shaksh DAR NAHI SAKTA...

kisi na kisi kaam me anadi har koi hota hai magar...

kya kuch aisa bhi hai jo ye ladka KAR NAHI SAKTA...

AAJ KE LIYE ITNA HI...

AAPKA APNA V...J.
 
Member
182
254
43

AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF FUTURE GLIMPSE ME DIMPLE SANVY KO JAAN SE MAARNA CHAHTI HAI WAHIN DUSRI TARAF FLASHBACK CONTINOUS SCENE ME SANVY DIMPLE KO FIGHTING TECHNIQUES PAR TRAINING DENA START KAR CHUKA HAI.

AB AAGE:-

CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)

UPDATE-59

DATE- AUGUST 4

CITY-DEHRADUN

PLACE-SIRIUS

ABBE LOUDE....!!! KAHAN GAYAB REHTA HAI TU AAJ KAL...!!!

morning essembly ke liye apne class ke line me khada hua hi tha mai ki mera swagat peeth par ek mukke ke saath shudh vaani ke saath kiya tha NITS ne..

MAI-abbe tera mooh ke ki frenchie gaandu..jab bhi khulta hai,louda hi nikalta hai...

NITS-topic mat badal chutiye aur sach bata...har shaam kahan mara raha hai tu aaj kal..

ground me thobda nahi dikha raha apna aur ghar jaao toh udhar se bhi gayab rehta hai tu...

SAM-true...pichle week se kal tak 5 ya 6 baar call kiya hai maine but har baar aunty ne bataya ki bahar gaya hai tu...

kahan ghum raha hai tu aaj kal...

RAJAT-meri baat hui thi parso phone par kamine se but bulaya toh taal diya saale ne...

SONU-ssame mmrre kko bbhi bbola harami nne...2 bbaar bbaat hui hai isse ppar hhar bbaar mmilne kko taal ddeta hai bhosdika..

MAI-abbe morning essembly ke liye jama hue hain ki inquiry essembly me...

NITS-phir baat palta be...

EKPREET-ladki ka chakkar toh nahi hai re babu bhai...

NITS-louda ladki..armaan aur lund, dono hi dheele hain saale ke...

RAJAT-armaan ka toh theek hai,lund ka detail kaise maalum be tujhe...

MAI-liya hai na kayi baar mooh me isne...khada nahi kar paaya isiliye chidh gaya hai bechara..

NITS-jo puch raha hun,batana chhod bakwas hi kiye jaa raha hai..bhosdike,lund kaatke tere hi pichwade me ghusa dunga..

MAI-tere jaise shouk nahi hai be mere..aur lugayi hai kya be tu meri jo mere where abouts jaane hain tujhe...

RAJAT-baat toh ye bhi sahi hai...aur ek baat bata,pehle bhi apne me magan hoke kayi kayi din gayab raha hai ye par tab toh kabhi sulgi nahi teri,phir aaj kyun itna fadfada raha hai tu...

MAI-aur kyun...??? cricket me sharth lagayi hogi aur haar gaya hoga chutiya...aur jaisi sulag raha hai,pakka indu eye ke loundon se haara hai ye...

SONU-hahaha..ssahi bbola bbe..ppure 1000 rrs ggaye jjo akkele llagaya ttha issne.. woh ggaye ttoh ggaye,bbhaari bbeizati kki isski un lladkon nne,wwoh alag...

MAI-ab jo boega,wahi toh paayega...har baar unke haarne me kam li hai isne un sabki..

kitni baar mana kiya maine par saala bhounkna kabhi nahi rooka iska...

ab beizati ke badle guard of honour toh denge nahi woh sab..

par maanana padega,

loundon ne ek baar me hi kya KAMAAL kar diya...

bin chhue hi iska pichwada LAAL kar diya...

HAHAHAHA...

jahan meri baat par baaki sab has pade the wahin NITS ki pehle se hi sulgi hui jhaanton me jaise aag lag gayi..

nathune phula k aur mukka mere peeth par jamaane ke irade se haath uthaye hi the usne ki tabhi...

GOOD MORNING STUDENTS.... IT'S TIME TO START TODAY'S ESSEMBLY...

CHOUBEY MISS.....assembly lene ki zimmedari unhi ki thi jisse nibhaane ke liye kuch selected students joki newspaper reading,news elaboration,food for thought of the day, explanation,pledge, GOD'S rhymes,ye saare essembly me hone waali activities karwate the,un sabke saath aakar stage par khadi ho chuki thi...

MISS ke bolte hi newspaper reading ke saath ek student ne essembly start kar di thi jiske baad baaki activities bhi run hone lagi.

theek 15th minute me hum sab essembly ka final part,national anthem gaa rahe the jiske khatm hote hi CHOUBEY MISS aur unke aage khade students stage se utar gaye..

aisa hona,sign tha hum sabka in line class ki taraf badhne ka jo hum karne ke liye palath bhi gaye the ki tabhi...

GOOD MORNING STUDENTS...

SAB-GOOD MORNING MA'AM..

PRINCI thi ye jinke stage me chhadne ka bas ek hi reason ho sakta tha aur tha bhi...

ANNOUNCEMENT...

PRINCI-it's early days for this on going academic year but there's a news,which is big...

SIRIUS as in hamare school ki history aap sabko pata hai...1921, JUNE 16 was the first day of this prestigious school's origin calander year...

but is school ka asal birth date hai 2ND OF JANUARY,1921...

that's the date when our school was registered as a learning institution...

matlab ki is academic year ke second part matlab 2nd january ko our school will hit it's century...

isiliye to honour that historical land mark,is baar ka ANNUAL SCHOOL SPORTS MEET 2ND JANUARY se hi rakha gaya hai...

CLAP,CLAP,CLAP...

PRINCI ki baat sun pura ESSEMBLY HALL tex taaliyon kk gadgadahat se gunj utha jo ye batane ke liye kaafi tha ki students kitne zyada thrilled feel kar rahe the...

PRINCI-wow..now that's some enthusiasm and that too for just the half news...

now for the remaining half,this sports meet is going to be historical..

kyunki on the auspicious occasion of school completing it's successful 100 saal, hamare beech ek guest of honour hone waale hain...

a person who has contributed a lot in making this honourable institution achieve glory on national platform..

a person jinke jaisa lagbhag SIRIUS ka har student banana chahta hai..the brightest student till now that SIRIUS has ever produced and to add,one the honourable trustee of this institution...

MR JAIDEN CHOWDHARY....

WOOOOO......CLAP,CLAP,CLAP....

excitement, thrill, anticipation..har adrenaline rush se bhar utha tha students ka brain..ek loud hoot ke saath is baar taali aisi baji ki pura ESSEMBLY HALL halka shake sa ho gaya tha..

ab baat hi aisi thi..JAIDEN CHOWDHARY...woh naam jisse admire yahan ka lagbhag har student karta tha..he was like a GOD to the students of this school...

jisne school aur phir college me beshumar naam kamaya aur phir rooka nahi..

aaj JAIDEN CHOWDHARY ka naam globally successful people's ki list me gina jaata hai...

he is a big fish aur SIRIUS naam ke samandar me toh he is like a whale jiska kadh abhi tak koi paar toh kya,match tak nahi kar paaya hai...

JAIDEN CHOWDHARY ka last SIRIUS visit 8 saal pehle ka tha which means ki current lot of students ke liye ye first time hone waala tha jab woh apne role model ko live dekhne waale the...

aise me excitement toh hogi hi..

yahi wajah thi ki announcement kar PRINCI jaa chuki thi jiska matlab tha ki students ko class ke liye head karna shuru kar dena chahiye tha, but aisa hua nahi tha..

apne apne groups me saare students bas abhi abhi mile news par hi discussion me lage hue the..

aalam ye tha ki teachers mic par kayi baar students ko class ki taraf badhne ka bol chuke the but us loud sound ko jaise students ne suna tak nahi tha...

sirf ek news di PRINCI ne aur usse aisa chaotic aalam tha...

isse saaf pata chal raha tha ki batayi gayi date,aaj se paanch mahine baad jab 2nd January aayega,toh kaisa hoga mahoul SIRIUS ka aur kya impact paida karega sirf ek naam...

JAIDEN CHOWDHARY...

IN EVENING:-

PLACE-ANUPAM GARDEN

HI...THANKS AANE KE LIYE...

ek bench par baith mera hi wait kar rahi thi new girl aur mujhe dekh ek pyari si friendly smile naach uthi thi uske face par...

par maine kuch kaha nahi, bas uske face ko dekhne laga ya phir ye kahun ki observe karne laga...

DIMPLE-kya hua..!!!???

MAI-tumhare forehead ke invisible marks checkout kar raha hun...

DIMPLE-excuse me...!!!

MAI-hmm...31st july ko tumhare face ke seriousness ka layout change hua tha which became more intense on the first of august...

par woh seriousness tension ki shakal me badla 2nd ko jisse tum pichle 3 din se chuppane ki koshish kar rahi ho but it keeps coming at your face with lines on your forehead...

DIMPLE-kya baat hai..!!??? behaviourist ka carrier pursue karna chahte ho kya future me...!!

well,i can say,you will flourish...

MAI-sense of humour shuru aankhon se hota hai aur pure face ko capture karta hai..

par abhi tumhara mazak cheeks se shuru hua par aankhon tak ka safar pura tak nahi kar paaya...

matlab physically bhale hi tum yahan mere saamne ho par brain tumhara abhi bhi kahi aur fasa hua hai...

DIMPLE-i will rephrase my words...tumhe as a behaviourist carrier banaane ki zaroorat nahi hai..

you already are one....

MAI-now you are ready..shoot...

DIMPLE-matlab...!!!

MAI-finally,apna everything is cool waala guard down kiya tumne...

meri baat par kuch seconds ka pause lekar mujhe dekhti rahi new girl aur phir...

DIMPLE-that PERFECT HIT technique with that salad slicing training...in paanch dino me mai kahin nahi pahunchi hun mai usme..

naa angles accurate ban rahe hain aur naahi hand pressure sahi baith raha hai...

uncountable tarike use kar chuki hun but square one se aage badh hi nahi paa rahi..

MAI-par frustration lagatar badhti jaa rahi hai..!!!!

meri baat par kandhe halke upar kar thoda extra neeche gira diya tha new girl ne...

MAI-new girl...har activity me first...apne reach ko naye levels tak le jaane me yakin rakhti ho tum...

har foreign aur unknown game ko apna game banaati aayi ho tum par babes,jo tum sikhne ki koshish kar rahi ho,this is a completely different ball game all together..

DIMPLE-i know...but 6 hours per day try karne ke baad bhi mai technique aur training ke base tak ko touch karne ke kaabil nahi ban paayi hun...

MAI-champ hone ke bohot se faayde hote hain par saath me ek nuksaan bhi hota hai...

brain tuning.. tuning of a winner...har nayi chiz ko crack karne ka pattern jo automatically set ho jaata hai brain me..

par jo tum mujhse sikhna chahti ho,uske liye kisi winner ki nahi,balki looser pattern ki zaroorat nahi...

DIMPLE-looser pattern..ab woh kya hota hai...??

MAI-maan lo do categories hain..ek me pilots,astronauts, doctors,engineer,sportsman, entrepreneurs aate hain aur dusre me cook, ballet,waiters, vendors, washerman (dhobi) hain...

dono catagories mese kissi ek ko maanana ho toh kisse looser catagory maanogi...??

DIMPLE-the second one...

MAI-right..!!! pehle catagory waale logon ko unke kaam ke liye extreme focus ki zaroorat padti hai par second catagory ke liye aisa nahi hota..

they take everything very causally.. phir bhi,there work, it's near to perfect..

for example valet..car ford fiesta ho ya Lamborghini...they drive and park it with supreme confidence..

jis tarah woh cars kaaththe hue,slide karte hue speedily but unharmed exact parking spots me rokte hain,un cars ke owners bhi waisa nahi kar sakte..

aur itni perfect driving skills sikhne ka vallet boys ka approach casual hota hai..

car kitni hi mehengi kyun na ho,r.p.m, displacement timing kitna hi pacey kyun na ho,unke liye,woh sirf ek car hoti hai...

same goes for waiters...apne ghar ke plates jinka rakh rakhaw hamesha steady aur ek sa hota hai,usse bhi thik se uthaane aur wapas rakhne me kabhi kabhi chook ho jaati hai humne but experienced waiters baar baar badalte restuarants ke interiors ke baawjud bina zyada dhyan diye hue bhi dish full aur without dish saare plates aise serve aur withhold karte hain maano magnet lage hon unke aur plates ke beech...

geometry compass lekar nahi baitthe we saare log aur naahi accuracy ke baare me zyada sochte hain but phir bhi perfection haasil hota hai unhe because...

DIMPLE-casual approach and completely unknown surrender..

MAI-right...

meri baat ya phir correct word use karun toh tip ko kuch kuch samajh gayi thi new girl..

DIMPLE-casual approach toh samajh gayi mai but woh second term.. completely unknown surrender...!!!

ye kaise achive kiya jaaye..i mean for me, surrender means loosing aur aisa...

MAI-kabhi hua nahi tumhare saath..i know...

but the thing is..

"the term winning triggers brain whereas term loosing hinders heart..."

DIMPLE-brain, heart!!!i don't get it...

MAI-apne dimag ko samajhti ho tum kyunki uske liye hamesha honest rahi ho,par jo tum sikhna chahti ho,uske liye tumhare dil ka tumhare body se synchronize hona compulsory hai..

that leads to the main question..

kya tum apne dil ko samajhti ho...!!!

DIMPLE-dil ko samajhna bhi padta hai,mai toh ye term hi pehli baar sun rahi hun...!!!

MAI-matlab nahi samajhti...fine,ye batao ki kya kabhi aisa situation create hua hai tumhare saath jisme aisi feelings create hui hain jo foreign hon..!!

jinhe samajhne ki koshish ki hain tumne par you have failed...

DHAKKK....

meri baat par dil dhakk sa kar gaya tha new girl ka...

REASON....

unknown feelings ke baare me woh puch raha tha usse jiski wajah se hi un foreign as in unknown feelings ne janm liya tha new girl ke dil me...

face ek second ke liye hadbada sa gaya tha new girl ka jisse dekh smile diya maine par ye dekh halki frustrate ho gayi new girl aur...

DIMPLE-whats the point of all this..waise bhi, it's the brain that matters..kyunki pure sharir ko command wahi deta hai..

MAI-aur dil surrender karta hai taaki brain commanding position ke liye qualify kar sake...

bottom line,aaj tak focus tumne sirf dimag se kiya hai,par ab dil ki baari...

training ke waqt ease your brain and just train...let your heart take control...

DIMPLE-aur kaise pata chalega ki brain nahi,heart work kar raha hai...???

MAI-fail hone par frustrate hoti aayi ho,par jab har naakamiyabi me face par smile aane lag jaaye toh samajh jaana,naa sirf heart us haar ko enjoy kar raha hai balki next attempt ke liye tumhare body ko automatically but most importantly, positively taiyar bhi kar raha hai...

DIMPLE-wow,sunane me jitna easy lag raha hai,jab deep socho toh karna utna hi hard ban jaata hai..

MAI-again it's your brain that's talking.. kyunki dimag sochta hai,dil mehsoos karta hai..

DIMPLE-and that's the main problem...ye mehsoos karna, it's not my cup of coffee...

MAI-than let's make some...

DIMPLE-really..!!!how..??

MAI-time kya hua hai...!!!??

DIMPLE-it's 6.30..

MAI-perfect..aao...

jahan apni baat bol ek disha ki taraf badh gaya mai wahin new girl bhi confused state me mere piche ho li thi...

DIMPLE-yahan kya hai...???

MAI-kya nahi,kaun..

park ke south east taraf jahan thoda aage fountain laga hua tha, pahunchkar rooke the hum..

new girl ke sawal par jawab de ussi fountain ke seedh me ek bench ki taraf jispar is waqt do old couple baithe hue the, finger point kiya maine...

DIMPLE-who are they..!!!

MAI-may i have your phone....!!!

waise kisi ladki se uska phone lena ill manners kehlata hai but ab tak guzaare waqt me DIMPLE ko SANVY ke manners and most importantly character par bharosa toh ho hi gaya tha isiliye bina kuch bole apna mobile mere haathon me thama diya...

MAI-SAMSUNG GALAXY Z FOLD 2....7.60 display,android 10 os, capacity 4500 mah,12gb ram,256gb storage,qualcomm snapdragon 865+ processor....strange....

DIMPLE-wow...for a person jo mobile carry nahi karta, that's quite a surprising tech knowledge...

waise phone pasand aaye toh good aur naa pasand aaye toh aksar not good bolte hain log..

ye "strange" gesture pehli baa suna hai...

MAI-hamare desh me is phone ka launch date next month ka hai... isiliye strange...

DIMPLE-south korea me ho chuka hai...

MAI-perks of being a billionaire...

mere is gesture par bas halka sa smile kiya new girl ne aur...

DIMPLE-ab bataoge bhi ki us old couple ko kyun point out kiya tumne..

MAI-taaki tum match kar sako...

chrome khol kuch type kar phone new girl ke saamne kiya maine...

DIMPLE-wooo..ye toh wahin hain naa..

new girl ke mobile par ek wikipedia page open tha is waqt jispar ek latest khinchi hui pic ke saath us male ka pura byora likha hua tha..

ye male koi aur nahi unhi couple ka hissa the jo is waqt humse kuch door ek bench par baithe hue the...

MAI-haan..MAJOR SUDHIR KUMAR JHAA...asaam regiment me appointed the ye...3 mahine pehle hi retirement mili hai inhe...

he is considered as a gem in our indian army..

DIMPLE-what's the point..!!

MAI-look at the personality page...

us wikipedia page me upari part me chote chote columns bane hue the..

ye columns SUDHIR KUMAR JHAA ke military aur social life ke alag alag muddon par gain kiye hue research the...

unhi columns me se ek par bold letters me PERSONALITY likha hua tha jisse touch kiya new girl ne aur aisa hote hi ek naya page uske aankhon ke saamne tha..

par jaise jaise ua personality page ko new girl padhti chali gayi,uski aankhein badi hoti chali gayi..

kabhi woh un words aur lines ko padhti jo us page par likhi gayi thi toh kabhi saamne baithe shakhs ko dekhti jo un lines se bilkul ulat dikh raha tha..

darasal SUDHIR KUMAR JHAA ki personality hadh se zyada strict thi...waise toh military men hote hi tough hain par according to the wordings on the page, SUDHIR KUMAR JHAA ka strictness next level ka tha..

asaam ke non stop baarish waale weather me bhi as punishment cadets ko bina kapdon ke 12,12 ghante jungle ke beech khada rakha tha unhone..

apne pure carrier me kul 5 goliyon ne unke body ko pierce kiya tha jinme se do baar unhone on the spot apne kandhe aur thigh par dhase bullet ko nikala tha...

this is not easy..infact, next level toughness chahiye waisa stunt pull off karne ke liye..

khair,hairan isiliye hui thi new girl kyunki saamne baitha shaksh us SUDHIR se bohot alag tha jiske baare me woh abhi padh rahi thi...

saamne bench par baithe SUDHIR KUMAR JHAA apni wife ko kisi baat par manaane ki koshish kar rahe the jispar unki wife bas unhe ghusse se aankh dikha rahi thi aur unke aisa karne par SUDHIR ki aankhon me geniune dar, respect aur request dikh rahi thi..

a complete 360 degree ATTITUDE change that wikipedia se unke abhi dikh rahe vyaktitv ka...

DIMPLE-is he the same person..

MAI-yup,but with a different perspective... MILITARY MAN hona aur woh bhi MAJOR,is a highly tough and respected position...

focus, winning attitude is must with that rank but abhi woh sirf ek pati hai joki apni wife se aaj ki dusri icecream khaane ki permission maang rahe hai...

par agar unhe permission na bhi mili toh bhi unke face ki smile gayab nahi hogi...

aur kal issi enthusiasm ke saath woh dobara apni wife se request karenge...

"fail hone par frustrate hoti aayi ho,par jab har naakamiyabi me face par smile aane lag jaaye toh samajh jaana,naa sirf heart us haar ko enjoy kar raha hai balki next attempt ke liye tumhare body ko automatically but most importantly, positively taiyar bhi kar raha hai..."

mere kahe woh lines ab jaakar samajhne lagi thi new girl...

DIMPLE-casual approach with unknown surrender...

apne aap hi nikal gaye the ye shabd uske mooh se jisse sun samajh gaya tha mai ki new girl situation ko samajhne lagi thi...

MAI-right...

DIMPLE-par aisa karne ke liye toh...

aage bolte hue rook gayi thi new girl par phir us pause ke baad labh dobara hile uske aur...

DIMPLE-LOVE....is feeling ka hona compulsory hai..!!par i don't have that kind of feeling for someone...

MAI-are you sure....!!!

thoda paas the is waqt mai aur new girl..sidhe uske aankhon me dekh pucha tha maine ye chota sa sawal par us sawal ko sun new girl ka dil bin puche hi race lene laga tha...

"ofcourse i am sure"...ye line bolna chahti thi new girl par labh ne jaise un lafson ka saath dene se mana kar diya tha..

MAI-i mean your mom...mere casual approach ka base meri mom hain..my true source of love..

DIMPLE-oh yaa..me too...

hadbadate hue jaise bin chhue hi apne sir par tapli maar jawab diya tha new girl ne..

MAI-great then... agli baar training ke waqt task par bina zyada focus kiye just do it..

par us time,in your heart,think about the source of your happiness..your mom...task dhang se naa bhi hua toh bhi you will not feel discouraged aur agar aisa hone laga, trust me, it's just a matter of time,you will taste success...

DIMPLE-abhi try karen...!!!

mere pure demonstration, examples aur view points ko sun sikhne aur jeetne ke liye ever ready DIMPLE BATRA ko turant action me toh aana hi tha..

jaanta ye baat mai pehle se hi tha isiliye smile karte hue apne bag pack jisse mai aise hi time ke liye lekar aaya tha,usla chain khol usme se do tomato aur utne hi onion nikaal liye maine..

wahin ye dekh hairangi se bhar mujhe dekhne lagi thi new girl jispar...

MAI-yunhi behavourist toh nahi bola hoga na tumne...

dusre chain se ek chota knife nikaal aage kar diya maine jispar mere jawab ko sun ek haath se dono onions aur tamatar ko aur dusre haath se knife hold kar ek taraf khaali bench ki taraf badh gayi new girl..

mai bhi piche hi tha uske...

taktaktaktaktak....

sabse pehle onion slice karna start kiya tha new girl ne par koi khaas fark pada nahi...

naahi sahi radius nikaal paayi woh aur naahi angles perfect ke aas paas bhi baithe..

par fail hone ke baad bhi halke smile ke saath mujhe dekh second onion try karna start kiya usne par is baaf bhi koi positive result nahi aaya.

not even a bit..

halka frustration dikhne laga tha uske face par jisse smile se cover kar tamatar ko utha liya tha new girl ne..

par kyunki tamatar naa sirf onion ke mukable kaafi soft hota hai par saath hi saath usse slice angle banana bhi utna hi mushkil hota hai, isiliye success ka chance aur kam ho chuka tha new girl ka..

aur aisa hi kuch hua...dusre slice se hi tomato ka center kuch yun jerk hua ki pura tomato hi left ki taraf jhuk sa gaya..

knife bhi tomato ke beech fas pura tedha ho chuka tha

DIMPLE-shit...

is baar frustration chhupa nahi paayi thi new girl..

knife tomato ke beech chhod diya tha usne jispar knife nikaal last bache tomato ke saath uski taraf aage badha diya maine..

DIMPLE-SANVY mai...

MAI-you can do it and you will do it..bas jo kahun mai, imandari se karo...

tomato aur knife ko hold kiye mujhe dekhne lagi thi new girl..

MAI-trust me..

mera itna kehna tha ki uske reflex action turant kaam me aaye aur agle hi pal tomato bench par rakh knife uske upar laga diya tha new girl ne...

MAI-aankhein band karo and just slowly fast forward all the people you care about..the people you love...

aur jis shaksh ko dekhte hi you feel solace,calm, relaxed,uspar eye image pause kar start slicing the tomato...

meri baat aur tarike par zyada confidence nahi tha new girl ko par phir bhi jaisa kaha tha maine,kiya usne..

aankhen band kar apni mom se start karte hue jitne log close the uske,one by one,un sabke chehre imagine kar dekhne lagi thi new girl...

band aankhon ke beech uski left se right ghumti putliyan saboot thi is baat ka...

waise toh un saare chehron ko dekh acha hi lag raha tha new girl ko par jis sukoon ki talash thi usse,woh haasil nahi hua tha ab tak usse par tabhi...

har 5 seconds me left se right ghumti putliyan achanak se theher gayi thi new girl ke...

par kamaal ki baat ye thi ki uske aankhon ke saamne kisika chehra nahi peeth tha..

woh peeth joki pure body ke saath constantly move kar raha tha..

aisa lag tha maano new girl ko cover me rakh koi ladhayi kar raha ho..

halka daba diya tha apni band aankhon ko new girl ne maano us shakhs ko apni taraf palatne ki koshish kar rahi ho aur tabhi..

band hone ke baawjud aisa laga jaise new girl ki aankhon ki putliyan khul si gayi hon...

reason...

woh shaksh palath jo gaya tha aur aisa hote hi sirf us shaksh ka nahj balki chal raha pura scene clear ho chuka tha..

SANVEER AHARYA...yahi toh tha woh chehra tha jo ghuma tha uski taraf aur jagah thi MOSSY FALLS ka wahi jungle jahan ARIF REZA ke saamne khudko chota paaya tha DIMPLE ne..

woh waqt jab usse yakin nahi tha ki SANVEER usse na sirf bacha lega balki ARIF REZA jaise trained fighter ki bhi haalath kharab kar dega.

jab pehli baar kisika uske aage aane,uske liye ladhna bhaaya tha DIMPLE ke dil ko..

jab pehli baar sharir me tez doud raha khoon dimaag par nahi dil ki raftaar badha raha tha..

jab pehli baar bina mehnet kiye hi new girl ka dil ek minute me 72 se 80 nahi balki 200 se bhi zyada baar dhadak raha tha..

jab pehli baar DIMPLE ke dil ko sharir ke andar rehne ke baawjud thand lagi thi...

jab pehli baar DIMPLE ko pure hosho hawaas me hone ke baawjud ye khabar tak naa hui thi ki uska dil usse uske liye nahi balki kisi aur ke liye zindagi dena chahne laga tha...

kuch der ke pause ke baad ek jhatke ke saath khuli thi new girl ki aankhein..

MAI-congrats...

mere is shabd par aankhon me sawal liye dekhne lagu woh mujhe jispar aankhon se neeche dekhne ke liye kaha maine usse aur jaise hi nazrein uski jhuki neeche toh she saw a sight jispar yakin karne ke kuch pal lag gaye usse..

tomato perfect radius aur angles ke saath kul 5 slice me kat chuka tha..

MAI-bas,yahi tarika hai..naa isse chhodna aur naa us shaksh ko jisse dekh ye tarika kaam kar gaya...

late ho raha hai..chalta hun...see you tomorrow...bye...

jahan apni baat bol aage badh gaya mai wahin meri baat sun dil is baar 300 ki speed se doudna laga tha new girl ka...

is baar aankhein khuli thi uski par MOSSY FALLS ki hi tarah ek baar phir meri peeth hi toh dikh rahi thi usse...

khabar hi na hui thi DIMPLE ko ki kab mere face ko piche se bhi dekhne lagi thi uski aankhein aur aisa hote hi uska bechain dil shaant hone laga tha..

keh kuch nahi rahi thi DIMPLE par is khamoshi ne bhi woh baatein karni shuru kar di thi jo uska dil sunana chahta tha....

"kuch toh de thairaav ke liye,mera haal bigad bigad kar SAMBHAL RAHA HAI...

mousam bhi wahi,aalam bhi wahi,phir kyun mera rom rom MACHAL RAHA HAI...

dhadakne ke siwa aur koi kaam nahi tha mera par aaj....

apni hi dhadkan ke bajne ka kaaran dhund raha hun mai,kuch toh hai jo BADAL RAHA HAI...

AAJ KE LIYE ITNA HI...

AAPKA APNA V...J...
 
expectations
22,435
14,670
143

superb update
 
Top