Thriller GaLaTH...(THE WRONG THAT MADE EVERYTHING RIGHT)written by vj4u

Member
182
254
43
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF FRIENDLY 1600 METRES RACE ME DIMPLE SAM KE BARABAR AATI HAI WAHIN DUSRI TARAF SCHOOL KE BAHAR SANVY AUR INSPECTOR RAJESH MISHRA KE BEECH BEHES HO JAATI HAI.

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)

UPDATE-81

DATE-22TH DECEMBER


CITY-OUTSIDE DEHRADUN

PLACE-N.H.45.





NICE...


NEW GIRL ke saath circled aur zigzag national highway par SONU ke dad ki pulsar 220 ko lehrakar chalate hue jab ek broad cross way se nikal raha tha mai tabhi local dhaba ke paas khaayi ke edge par lage ek thele ko dekh aankhen chamak gayi thi meri...


DIMPLE-haash...SANVY,ek toh pair abhi theek nahi hua nahi, uspar itni rash riding...!!!


N.H road pakde hue 15 minutes guzar chuke the hume aur in 15 minutes me hamesha 110 ke upar hi raha tha speedometer ka kaanta...

waise toh NEW GIRL ko bhi speed driving ka bohot shouk tha par subah ke is waqt par ye N.H kaafi busy rehta hai...

aise me jitni baar aur jin jin tarikon se baarik cut maarte hue heavy loaded vehicles ko continously cross karte hue nikla tha mai,kisi ki bhi saansein upar niche hone ke liye kaafi thi...

ye toh NEW GIRL thi jo bade softly complaint kar rahi thi mujhse...koi aur hota toh bike ke stand karte hi pehle toh ulti karta aur uske baad mere saath dobara bike par kabhi baiththa nahi...

gawah-e-saboot the NITS,SONU aur mere baaki group ke bande jinhone mere saath bike ride karne ki tauba khaayi hui thi...


MAI-rash!!!babes,swift ride bolte hain...aur mujhe nahi laga tha ki tez riding se tum bhi dar sakti ho...!!!

DIMPLE-agar darti toh saath aati hi nahi... hamare aaj ke bike ride plan ke baare me group me sabko pata hai...

aur isiliye warn karne ke liye mujhe tumhare biking me kiye gaye saare kaarnamon ka pura kaccha chitha SONU aur NITS pehle hi bata chuke hain...

bottom line,baat dar ki nahi hai...

agar slow chalte toh baatein zyada kar sakte the...

pehli bike ride jo hai hamari saath me...!!!


mai saala bail buddhi...naa dikhne waali jagah par bhi dhyan rehta hai mera aur itni simple si chiz bhul baitha mai...

wakayi, pehli bike ride thi meri aur NEW GIRL ki...aisa moukon par chehre par padne waali hawa ke saath har pal ko kaid karna chahiye aur ek mai tha jo valentina rossi bana gaadi douda raha tha...

gazab chutiyapa...

mere face par nazar aa rahe sade bhaav dekh halki has di NEW GIRL aur...


DIMPLE-par ek tarah se faayda hi hua hai mera...

kyunki baat bhale hi nahi ho paa rahi thi par tez hawa ke thapedo ne tumhari mehek ko mere andar tak feel karwa diya tha...

ab tumhe khojne ke liye tumhe dekhne ki zaroorat nahi hai mujhe...

kisi bheed ka hissa bhi raho tum toh bin dekhe bhi dhund lungi tumhe mai...

mere haath ke ird gird khud ko sameththe hue aage badhi thi NEW GIRL aur uski baat sun bas halka sa has diya tha mai...


DIMPLE-ab bataoge bhi mujhe ki yahan kyun ruke hain hum aur thodi der pehle NICE kyun bola tha tumne...???

MAI-german oriented burger toh bohot baar khayi hogi tumne par indian,woh bhi dehradun
oriented desi burger shayad hi taste kiya hoga...

DIMPLE-desi burger...!!!

MAI-yup...woh dekho...


saamne dikh rahe thele ki taraf point kiya tha maine jiske upar paate par nazar padi NEW GIRL ki...


DIMPLE-bun tikki... what's that..???

MAI-ek local dish jo abhi hum khaane waale hain and i am sure ki bohot pasand aayegi tumhe...

try karogi naa...!!!

(wakayi lazzatdaar dish hai guyz...kabhi dehradun jaayen toh zaroor khaayen)

DIMPLE-sure...

MAI-bhaiya..lagaiye do...

DIMPLE-aalu...!!!!potato burger hai kya...???


thele waale bhaiya ko lambe potato slices ko cut karte dekh rahi thi NEW GIRL...


MAI-just a part of it...

DIMPLE-dikh toh pura burger ki tarah hi raha hai...

MAI-burger me paav ko paani me sokha nahi jaata...

naahi usme chana daal daalte hain, naa poha ya rice flakes, chaat masale ka toh naam bhi nahi suna hoga burger invent karne waalo ne aur naahi khajoor aur imli chatni ke mixture ko use karne ka ganith bhi aata hoga unhe...

bun tikki ki puri recipe bata di thi maine jisse sun aur mere khaane ke baare me knowledge ko jaan NEW GIRL toh normal hi rahi par thele waale bhaiya ke face par prashansha ke bhaav the...


DIMPLE-ummh....maine abhi tak try kaise nahi kiya tha isse...???t's really amazing...

jaise hi bhaiya ne bun tikki ka wrap pakdaya NEW GIRL ko,uske first bite ko lete hi halke awaaz ke saath bum tikki ki taarif uske pure face par dikhne lagi thi...

aur kitni pasand aayi thi usse ye dish,ye aas paas khade sabhi ko agle 15 minutes me hi pata chal chuka tha...

3 tikkiyan jo pel di thi NEW GIRL ne is beech...

apne trip bag se jisse maine aage chest par laada hua tha,uske front chain ko kheench wahan rakhe paison se bill pay kiya maine and then,back on bike the hum dono...


DIMPLE-mujhe laga tha bag me ride ke liye soft drinks, mocktails carry kar rahe hoge,but i got a glimpse of gift wrap inside...

MAI-cristmas eve chaalu hai...kya pata,kab kiska santa banana pade...

DIMPLE-baaki waqt ka toh nahi pata,par abhi ye cute sa santa kisse gift dene jaa raha hai,i think i know...

ASHA AUNTY right...unhi se milne SHANSHASHI ASHRAM jaa rahe hain naa hum...!!!

MAI-thats my girl...

bike aage badha di thi maine... route dekh SHANSHASHI ASHRAM jaa rahe hain hum,iska andaza lagana mushkil nahi tha par NEW GIRL sirf ek baar gayi thi us ashram me aur woh bhi kaafi mahine pehle...

us din acharya PRATHAMESH ke saath jab MAA ke room ke bahar khadi thi woh,ye jaanta tha mai...

par naa toh andar aayi thi aur naahi formally MAA ke saath waat bitaya tha usne...

bas ek baar ACHARAYA PRATHAMESH ne naam bataya tha usse MAA ka woh bhi casually but she remembered...

jo mere liye important hain,unhe nahi bhuli thi NEW GIRL aur ye acha laga tha mujhe...


DIMPLE-waise ab tak mujhe nahi mila hai mera CHRISTMAS present...!!!

MAI-woh MAA ka department hai...wahi degi...

DIMPLE-MAA se yaad aaya...kal kyun nahi nikle hum ASHA aunty se milne ke liye...

ANJALI udhar MAA ke saath ghar decor karne me lag chuki hai...

i also wanted to be a part of it...

MAI-aaj decorations ke samaan set kar rahe hain MAA aur ANI...

and then,aaj raat jo gadariya group ghar aayegi,unke liye extra sweets ready karenge dono...

main decoration kal hoga jisme you will be a part of...tum kya, pura group morning se hi dhamak padega ghar par...

isiliye hi toh aaj chal rahe hain hum MAA ke paas...MAA har saal unke liye gift bhejti hain aur is baar toh do hain...

DIMPLE-jhalla...


palath NEW GIRL ko dekh kahi thi maine ye baat jisse sun halka blush karne lagi thi woh...

DIMPLE-ye gadariya group kya hota hai...???

MAI-cristmas eve me pure week ke kisi bhi raat,church ke sunday school students ghar aate hain and they sing bible hymns...

they enjoy,shor machate hain woh..ghar ke har room me ghus usse bless karte hain woh sab..
they pray...aur phir finally kitchen looththe hain saare...

dishes se bhari saari burniyan joki unke liye hi rakhi hoti hai,unhe khol dishes gaate hain woh aur phir,ek aakhri baar pure ghar ko bless kar chale jaate hain...

DIMPLE-wow...aisa bhi kuch hota hai,i didn't know...mai bhi ye dekhna chahti hun...

MAI-your wish is my command madam...

waise bhi har saal is gadariya celebration ko enjoy karne ke liye apna pura group 23rd ko hamare ghar par hi sota hai...

DIMPLE-par mujhe toh kisine bataya hi nahi...

MAI-kyunki ye kaam mera hai mohotarma...

waise bhi,woh sab thehre guest par aap toh us ghar ki future owner hain...

ab bhala koi guest house owner ko ussike ghar me invite karta hai kya...!!!???


DIMPLE-kuch bhi...jhalla...!!!


baat bhale hi sharma kar taal di thi NEW GIRL ne par haathon ne uske mere chest ke ird gird tight ho ye bata diya tha ki lines meri kaafi pasand aayi thi usse...

khair,is baar speed bike ki bohot normal hi rakhi thi maine...yunhi hasi mazaak kar alag alag roads se ghumte hue hum dono kab SHANSHASHI ASHRAM ke saamne pahunche,pata hi nahi chala...





PLACE-SHANSHASHI ASHRAM





DIMPLE-its really beautiful...ek alag hi sukoon hai yahan...

entrance se guzarte hue bade se hare bhare lawn me chaaron taraf biche alag alag tarah ke phoolon ko dekhte hue behadh khush dikh rahi thi NEW GIRL...

MAI-jaise saans lena naak ka aur dekhna aankh ka farz nahi fitrat hota hai waise hi prakriti,nature ki fitrat hi isse mehsoos karne waale ko sukoon pahunchana hota hai...

ab toh kadh aur umr badhne lagi hai...

dil se zyada dimag se sochna padta hai isiliye yahan aana kam ho gaya hai mera par ek waqt aisa bhi tha jab mai yahan hafte me do se teen baar bhi aa jaaya karta tha...

sirf MAA se milne ke liye nahi...acha lagta hai mujhe yahan ka vatavaran...

pata hai,yahan ke phoolon ko agar time se aur zyada hone ki wajah se sufficient paani naa bhi mile toh bhi aam bagichon ke mukaable der se murjhaate hain ye...

DIMPLE-really...!!! aisa kyun...???

MAI-prem...baaki bagichon me paani daalna,maali ka kaam hota hai jisse woh kaam ki tarah hi karta hai...

yahan koi maali nahi...ashram ke shishya apni marzi se aur in phoolon par inke liye apne prem ki wajah se inpar paani daalte hain...

aur us bhaav ko pehchaante hain ye phool...yahan ke rehwaasiyon se inhe bhi prem hai...

aur jisse prem ho,uske saath ka saath toh lamba hi rahega naa...


apni baat khatm kar jab ghumi meri gardan aur nazar NEW GIRL ki taraf toh maine usse khudko hi dekhte paaya...

aur nazar me uske wahi bhaav tha jiski baat me abhi kar raha tha...

PREM...

SANVY.....


kuch kehne waala hi tha mai ki tabhi apne right ki taraf se ye awaaz aayi jisse sun ek muskaan se saath us taraf palath gaya mai...


MAI-MAA...


halke se pukara maine jiski shayad zaroorat bhi naa thi...mera naam pukaarte waqt ASHA MAA behadh kareeb hi thi mere aur jaise hi mai palta,unka naam lene ke beech bhi mujhe apni mamta ke aagosh me le chuki thi woh...

aaj 3 hafte ke baad aaya tha mai yahan...waise toh itne dino tak nadarad rehne ki wajah se naraaz thi woh mujhse par mujhe dekhne aur mujhe gale lagane ke beech hi unki saari narazgi jaati rahi thi...

wahin humse halke door khadi NEW GIRL bhi bade pyaar aur halke surprise ke saath hume dekh rahi thi...

surprise us unconditional beintehan pyaar ke liye jo is waqt woh mere liye ASHA MAA ki band aankhon waale chehre me dekh rahi thi...

aisa hi pyaar usne har waqt meri MAA ki aankhon me mere liye dekha hai par woh toh unki nazar me laazmi hi hai...

meri MAA jo hai woh...

waise NEW GIRL ka surprise hona justified bhi tha kyunki uski apni MAA hamesha se hi apni business ki race me itni zyada focused rahi thi ki NEW GIRL ko ye yaad bhi nahi tha ki last baar kab uski MAA ki aankhon me usne apne liye aisa pyaar dekha tha...

yahi wajah thi ki ASHA MAA aur mujhe aise dekh uski aankhon ke kinaare halke bheeg se gaye the...


ASHA MAA-toh tum ho iski NEW GIRL...

DIMPLE-jee...


MAA ki awaaz se jaise apni hi duniya se wapas aayi thi NEW GIRL...

mujhe ghurne ke beech MAA ke pair chhu liye the usne jiske turant baad MAA ne usse bhi gale se laga liya tha...


ASHA MAA-phone par tasveer dikhayi thi isne mujhe tumhari...par tasveer se bohot zyada khubsoorat ho tum...


NEW GIRL ka pyar se maatha chum liya tha MAA ne...

kehte hain ki aalingan aur chumban... prem jataane ke ye do aise bhaav hain jo agar dil se diye gaye hon toh milne waale ko uski aatma me woh prem mehsoos hota hai...

aisa hi kuch abhi mehsoos kar rahi thi DIMPLE...

CHATAKKKKHHHH...

MAI-ahhh...ab maine kya kar diya...???

NEW GIRL se alag hote hi mere kandhe par ek chamat maar di thi MAA ne...

ASHA MAA-bahu ko dikhane laa raha hun...aane se pehle ek baar phone par bata deta toh aise khaali haath milti kya mai isse...

DIMPLE-khaali haath...!!! aashirwad aur pyar se bhare haath mere sir par lagaya hai aapne...

ab iske aage chiz kitni bhi keemti ho,rakh do tab bhi mol kuch naa rehna uska...

ASHA MAA-kya baat hai beta...tune toh bilkul apne jaisi hi dhund li...

baaton me haazir jawabi woh bhi itni saadgi aur sacchayi se ki saamne waala chah kar bhi kuch bol naa paaye...

beta, aashirwad ki tarah riwaazon ka bhi apna ek mol hota hai...

hamare yahan bahu ko pehli baar khaali haath kabhi mila nahi karte...

isiliye kuch nahi sun rahi mai...dono chupchap chalo mere saath...


ek haath me NEW GIRL ki hatheli aur dusre me meri thaam aage badh chali thi MAA par tabhi mujhe limp karta dekh turant rook bhi gayi...

ASHA-ye,ye tu langda kyun raha hai...???

MAI-kuch nahi MAA... woh bas ek chota sa accident ho gaya tha...


meri baat ko sun kuch kaha nahi MAA ne par shayad iski zaroorat bhi naa thi...

kyunki aankhen unki turant dabdaba kar chhalak chuki thi...

MAI-arre MAA...socho mat zyada... maamuli chot hai...

ASHA MAA-mamuli choten mere bete ke kadam ladkhada nahi sakte...dikha zara...

turant neeche baiththe hue mujhe bhi baitha diya tha unhone aur agle hi pal mera right pair apne godh me le liya tha MAA ne...

behes ya na nukur maine bhi zyada ki nahi kyunki fayda kuch hona tha nahi...

khair, jaise jaise meri slim tight trouser upar dheere dheere upar uththi gayi aur ghutne ke neeche se bandhi patti visible hone lagi toh MAA ki aankhon par tiki hui dhaara chhalak uthi...


ASHA MAA-itni badi patti bandhi hai aur maamuli chot bata raha tha...

isiliye hi itne dino tak nahi aa paaya tha naa...

MAI-chot maamuli hi hai MAA...bas lagi ghutno par hai isiliye pure takhne par bhi patti cover ki gayi hai...

aur ab toh kaafi waqt bhi ho gaya hai...jald hi utar jaayegi ye... utarte hi turant aaunga mai,phir khud hi dekh liyo...

MAA-par abhi toh patti bandhi hai naa matlab chot moujud hai...

aise me itni door aaya hai tu...kya zaroorat thi...!!! puri tarah theek ho jaata, phir aana tha naa...

MAI-aise kaise...!!!bhul gayi kya aap, christmas eve chaalu hai...MAA ne aapke liye christmas gift gift bheja hai...

apna pair unki godh se nikaal araam se baithne ke beech apne bag pack se ek gift wrap nikaal MAA ko thama diya tha maine...

ASHA MAA-KANCHIPURAM PATTU...yaad tha VERONICA ko...


saree bheji thi MAA ne jispar haath firaate hue ASHA MAA muskura uthi thi...

kuch mahino pehle jab MAA ke saath aaya tha mai, baaton baaton me ASHA MAA ne is brand ki saree ko apni pasand bataya tha...

ab MAA toh bhulne se rahi...


MAI-khush baad me hona... pehle mera cristmas gift nikaalo...

ASHA MAA-arre,mai toh is baar bhul hi gayi...

MAI-chalte hain NEW GIRL...apna koi nahi hai idhar...

ASHA MAA-naa woh kahin jaa rahi hai naa tu...rook,laati hun tera gift...room me hai...

DIMPLE-hum bhi chalte hain aunty...

ASHA MAA-aunty...!!!ye kaun naya aa gaya idhar...iski MAA hun matlab teri bhi MAA hi hun...

DIMPLE-jee MAA...

ASHA MAA-ruko yahi tum dono... itni chot me chalna nahi hai tujhe...

MAI-aur aap chalengi... mera toh temporary hi hai par aake ghutno me toh dard har waqt ho rehta hai naa...!!!

ASHA MAA-abhi kam hai beta...

MAI-acha...zara khadi ho jaaiye toh...


meri baat sun apne mude ghutno ko sidha kar unme uthne waale dard ko kisi tarah chhupane ki koshish karte hue khadi hone lagi MAA par woh puri khadi hoti,isse pehle hi apne left leg par hi ek jhatke me khada hua mai aur turant unhe sahara de diya...

MAI-jhuth unse boliye jo yakeen kar le...

ASHA MAA-arre,kya kar raha hai...???neeche utaar...chot lagi hai beta,dard hoga...

MAI-"jisse MAA ka wazan takleef dene lage,woh kahan ka beta"...!!!


MAA ko badi asaani se godh me uthane ke beech halka halka limp karne ke baawjud bade araam se aage badh gaya tha mai...

wahin meri baat sunane ke baad aage kuch keh nahi paayi thi MAA..bas muskurate hue mere baalon ko halka sa sehla diya tha unhone...

aur NEW GIRL...waise toh mere MAA ko uthane par mere pair ko lekar chinta usse bhi hui thi par meri baat sun woh chinta thodi hatke ishq me badal gayi thi...


MAA-pagal hi hai ye ladka pura...ye le,tera gift...


MAA ko unke bed par baithate hue apna gift dhundne laga tha mai jispar apne takiya ke neeche se ek kapde ki thaili mere aage kar di thi MAA ne...


MAI-wow...awesome MAA...i love it...


white colour me deep v neck half sleeve slim fit t-shirt aur grey colour ki casual trouser thi us thaili me...

top brand ki nahi thi woh pair par mere liye toh Versace ka bhi koi mol nahi tha in kapdon ke aage...

white printed colour ki full length hoodie pehni thi maine jiska chain turant utaarta chala gaya tha mai...

REASON...

MAA ki ankhon me mujhe unke diye kapdon ko pehenane ki khwahish jo padh li thi maine...

wahin mujhe yun hoodie ko chain out karte dekh NEW GIRL kuch bolne ko hui thi par jaise hi meri hoodie mere body se alag hui,zubaan uski apne aap khamosh ho gayi...

ab harkat uski aankhon me ho rahi thi jo kaafi badi ho chuki thi...

darasal shirt ho ya t-shirt,mai hamesha kapde ek size upar hi pehenta hun aur agar kabhi fitting bhi pehni toh body shape meri lean hai...

perfect V shaped...

lean aur V shaped as in waist line patli par jaise jaise sharir uththa hai,size badhta chala jaata hai joki kandon tak pahunchte pahunchte bulky lagne lagta hai...

aisa shape banana asaan nahi hota aur jo ban jaaye toh phir kisi bhi size ka kapda fit hi lagta hai...

aur sabse khaas baat...kapdon me body bilkul normal lagti hai par jab kapde khulte hain toh jo perfect chiseled body shape saamne aati hai,woh dekhne laayak hoti hai...

haan,umr kam hone ki wajah se mere muscles completely grow nahi hue the par phir bhi sharir ka har cut puri tarah se visible tha...

a complete statue oriented body with a gifted 8 packs to go with it...

yahi wajah thi ki naa sirf NEW GIRL shocked thi balki mai aur mere saath mere is sharir par bhi uska,sirf uska hakh hai,ye khayal pehli baar jaaga tha uske dil me jisne uske andar ek gudgudi paida kar di thi...

khair,agle kuch seconds me woh white half sleeve t-shirt mere upper body se chipak chuki thi...

slim fit t-shirt hone ki wajah se meri body figure saaf numaya ho rahi thi us kapde me...

upar se rang kaafi saaf tha mera isiliye kaafi janch rahi thi woh t-shirt mujhpar...

NEW GIRL aur MAA, dono ko aankhon me dikh rahi taarif saboot thi is baat ka...


ASHA MAA-rook beta...teri mooh dikhayi laayi mai...

turant uth paas rakhi almari ki taraf badh gayi thi MAA...


MAI-arre...ye...


MAA ke mudte hi NEW GIRL ne mujhe apni taraf kheench liya tha...

DIMPLE-ye t-shirt sirf mere saath rehne par hi pehenoge tum...akele ya doston ke saath outing me nahi...


MAI-hahaha...ab kaun jhali hai,batao zara...!!!

ASHA MAA-aankhen band kar beta...


meri baat sun mujhe aankh dikhane hi lagi thi NEW GIRL ki tabhi MAA ki awaaz aur baat sun hadbadate hue tezi se aankhein band kar li thi usne...


ASHA MAA-haan,ab khol...


apne gale me kuch thanda sa mehsoos kiya tha NEW GIRL ne jisse aankhen khulte hi dekh thodi hairan hui thi woh...

ek chamakti hui sone ki chain latak rahi thi uske gale me...


ASHA MAA-arre waah...ye toh wakayi tere gale me bohot sundar lag rahi hai...

DIMPLE-par MAA... it's too costly...itni mehengi gift kaise accept kar sakti hun mai...!!!

ASHA MAA-mehengi...!!! beta ab woh haalath nahi rahe warna tujhe toh mai tohfon se nehla deti...

aur waise bhi maa ke tohfe uska aashirwad hote hain...aur aashirwad kisi bhi roop me mile,khushi khushi le lena chahiye...

MAI-ye ANI bhi naa...kuch samajh nahi aata toh mera hi magaj khaayegi ye...

mera mobile vibration me rakha tha maine jiske display par is waqt ANI ka number chamak raha tha...

ye third call tha uska...

ASHA MAA-ANI ko kya hua aur aaj usse bhi saath kyun nahi laaya tu...???

MAI-ghar par MAA ke saath hai woh...decorations ke equipments nikaal rahi thi...

ussime atki hogi kahin...aap dono baat kijiye...aata hu mai...

ANI ka call utha usse baat karte hue room se nikal chuka tha mai...


KYA HAAL HAI CHOTE...!!! HANDSOME TOH BADA HO GAYA LOUNDE TU...


ANI se baat karte hue wapas ashram ke front side aa gaya tha mai...

convo complete kar phone apne jeb me rakh hi raha tha mai ki tabhi mere kaano me ek purani jaani pehchaani awaaz padi...

RAHUL BHAIYA...RAHUL THAKUR...hamare super senior the ye jo saamne se meri taraf aa rahe the...

SAM se pehle yahi champ the hamare school ke...filhal U.T se apni higher study kar rahe the...

kaafi down to earth banda tha ye...isiliye kaafi respect karta tha mai inki...

inke school daur me kaafi chota tha mai par khopdi meri tab bhi bohot garam hi rehti thi...

ek do aise mouke aaye the jab inke liye inke rivals se bhid gaya tha mai..kaafi pasand karte the bhaiya mujhe...

yahi wajah thi ki mujhe dekhte hi turant aaye woh mere gale laga liya mujhe...


MAI-arre RAHUL bhaiya...long time haan...kaise hain aur idhar kaise...!!!

RAHUL-mai toh badhiya hun chote...yahan paas hi mere dadi ka ghar hai,milne aaya tha...

wapas city jaa raha tha toh socha, pehle ek baar yahan aa jaaun... bachpan ki chuttiyon me kaafi waqt guzara hai maine ashram ke play ground me...

ab tu bata,kaisa hai tu... SIRIUS me hi hai naa...!!!

MAI-ji bhaiya...

RAHUL-suna hai,is baar national level par direct selection ke level ka sports competition hone waala hai and the special guest is our very own legend...MR JAIDEN CHOWDHARY...!!!

MAI-sahi suna hai bhaiya...saare super seniors ko 26th me f.b ya dusre net communications ke through invites jaane shuru ho jaayenge...

aapke paas toh pahunchna hi hai...

RAHUL-par aa nahi sakunga yaar...next weak se mere college me exchange program chaalu hone waala hai...

boston university me one month tak padhne aur new subjects par research ka mouka milega...

mera bhi selection hua hai...

MAI-aapka toh hona hi tha bhaiya...

ARRE RAHUL...KAB AAYE...???

ek acharya the ye jinhe dekh bohot khush ho gaye the RAHUL BHAIYA...

RAHUL-pranaam acharya...

MAI-mai nikalta hun bhaiya...

RAHUL-kahan...???city hi jaa raha hai naa...!!!

MAI-jee bhaiya...

RAHUL-toh rook na thodi der...saath chalte hain... school me hamari bikes par hamesha haath firaya karta tha tu...

tab toh chota tha isiliye kabhi allow nahi kiya tujhe...par ab toh koi ristriction nahi...

cbr 1000 khadi hai bahar meri...tu chala liyo...

MAI-phir kabhi bhaiya...aaj saath aaya hun kisike...

RAHUL-koi naa...milte hain phir...tere f.b page par number share karta hun apna... contact me rahiyo...

MAI-sure bhaiya...bye...

DIMPLE-chalen SANVY...


rahul bhaiya se baat kar mai wapas ASHA MAA ke room waale gallery me pahuncha hi tha ki tabhi saamne se NEW GIRL ke saath MAA aa rahi thi...

MAI-haan chalte hain...waise bhi ANI ko koi samaan mil nahi raha... mujhe hi nikaal kar dena hoga...

MAA,24th ko early morning aapko lene aaunga aapko...aur ab,aap wapas apne room jaayengi...

ASHA MAA-arre...bahar gate tak toh chhodungi hi...

MAI-bilkul nahi...aaj ka walk ho chuka hai aapka...ghutno par zyada stress dena sahi nahi...

DIMPLE-kabhi same theory khud par bhi apply kar diya karo...!!!

ASHA MAA-bilkul karega...nahi toh khaayega mere se..

MAI-advance abhi hi de do...


gaal aage kar diya tha maine jispar halka aur prem bhara apna haath fer diya tha MAA ne...

jaane ka waqt ho chala tha isiliye maine aur NEW GIRL dono ne pair chhu liya unka...

hum dono ko ek ek baar phirse gale lagaya unhone apne jiske baad wapas jaane ke liye palath gaye hum...

CRRRR....

abhi hum ashram ke main gate se nikle hi the ki tabhi saamne bichi chowdi sadak ke dusri taraf se badi tez half drift karte hue ek laal FERRARI ruki thi...

waise hi gaadi apne aap me anokhi thi uspar jis andaaz me ruki thi woh,road ke aas paas khade sabhi logon ki nazar automatically uspar tik chuki thi...

THAKKK...

us ferrari ka driver door open hua aur jaise hi agle pal uske andar baithe shaks ke pair car se bahar nikle...

DIMPLE-MOM...


ek surprise tone ke saath us shaksh se apne rishte ki pushti karne ke baad NEW GIRL unki taraf badh chuki thi...

wahin dusri taraf...

ARCHANA BATRA...one of the top most industrialist of our country...

white black check parallel VERSACE ki professional/casual shirt,neeche blue VAN Heusen ki pointed trouser,OAKLEY ke super costly eye glasses,pairon me SAINT G. ke ankle boots pehne pehli baar mere saamne thi apne aap me the one and only ARCHANA BATRA...

mid forties me thi apne NEW GIRL ki MOM par dudhiya rang me lipti ARCHANA BATRA kisi bhi young professional aur international model se kam nahi lag rahi thi...

hight meri MAA jitni hi thi matlab lambi thi woh aur face par confidence, attitude,ego but most importantly, winner ka bhaav saaf jhalak raha tha...

khair,apni beti ko dekh ek bright smile naach uthi thi unke face par aur jaise hi NEW GIRL paas pahunchi unke aur pair chhune lagi apne MOM ki,ek surprise look ke saath half way me hi rok liye unhone usse aur apne saath laga side hug diya NEW GIRL ko...


DIMPLE-MOM aap yahan...!!!

ARCHANA-apni beti se milne ka dil kiya,so aa gayi...

DIMPLE-mujhse milne ka...now that's a surprise...

ARCHANA-surprised toh mai hun...aap kabse gesture me pair chhune lag gayi...!!!??? that's new...

but i guess,phone par jiski taarif karte aapki zubaan nahi thakti,ye asar bhi ussika hai...

right SANVY...

MAI-hello aunty...


us ferrari car ko dekhne ke beech ab tak paas pahunch chuka tha mai aunty aur NEW GIRL ke aur aunty ki baat sun bas muskurate hue maine pair chhu liya unka...


ARCHANA-hello beta...toh aap hain the hidden volcano of talent and the raw diamond...

hamari beti baatein karte nahi thakti aapke baare me...

waise i must say,pic bheji thi aapki DINGLI ne par saamne se zyada handsome hain aap...

MAI-dingli...!!!

DIMPLE-mom...!!!

ARCHANA-what...!!!ab tak apna pet name nahi bataya tha aapne SANVY ko...

shuru se hi ucchal kood ka bohot shouk raha hai is ladki ko, isiliye hum isse DINGLI bulate hain...

MAI-hahahaha...nice...ab se mai bhi bulaunga...

DIMPLE-stop it SANVY...waise mom,maine toh ghar me staff ko kuch bataya nahi tha... phir aapko kaise pata ki mai yahan hun...

ARCHANA-common...ab ye kaisa sawal hua...aap kab kahan aur kiske saath rehti hai,ye toh mujhe pata hi hoga naa...

kyun SANVY...!!!

MAI-ofcourse...

waise bhi,12 textile units in 6 countries,20 world renown hotels in 10 countries,gold mine in africa,exact location,Tanzania,20 proccesed food manufacturing factories in INDIA and MALAYSIA,BATRA CRUISE SHIPS to MALAYSIA,MALDIVES, MAURITIUS AND SINGAPORE...

itne heavy competition ke beech aaj tumhari mom in saare business ke top par hain..

how...???by keeping one eye on self business and the other one on the competetors...

jo gairon par itna dhyan de sakti hain,unki apni beti par toh nazar hogi hi naa...


NEW GIRL ki MOM ke aankhon me maine khudko tatolne waale bhaav dekhe the...

isiliye aisa jawaab diya tha maine jisse sun jahan ek taraf NEW GIRL toh bas smile dene lag gayi thi wahin dusri taraf ek pal ke liye ARCHANA BATRA apne business par mere itne exact details ko sun pehle toh thodi hairan hui par turant apne woh surprised bhaav chuppa liye the unhone...

ab bhai,choti moti personality toh thi nahi woh jo itni jaldi impressed ho jaaye mujhse...


ARCHANA-nice...but beta, mere baare me pata karna,ye toh bohot maamuli si baat hai...

i am a public figure after all...maine gour kiya tha ki hamare paas aate waqt aapki nazar is car par thi...

so,do you know anything about this road bird or baaki logon ki tarah bas iske naam se waakif aur outer looks ke murid hain aap...!!!

DIMPLE-mom ye...

MAI-its ok...aapke jitna toh nahi aunty,par jitna pata hai,bata deta hun...

Ferrari 812...price,5 crore 20 lakhs... right now,india ki best ferrari model hai yeh 2 sitter monster...

single variant me aati hai ye model.6496 cc with single transmission that goes with 7 gears and paddle shift,sports mode...

kerb weight of 1630 kgs...

engine type v12-65...

max power of 789 bhp which produces 8500 rpm...

torque 718 nm which produces 7000 rmp...

one hell of a beast...


car ke chaaron taraf ghumne ke beech usse halke haathon se touch karte hue saare speculations batane ke baad sir saamne ki taraf utha mera...

NEW GIRL ke face par toh ek bright smile thi aur uski mom ke chehre par ek baar phirse shocking bhaav the jinhe chhupane me abki baari thoda waqt laga unhe...

waise bhi,jitna dikhaya tha maine,shayad kisi aur ko impress karne ke liye beshak kaafi ya zyada bhi ho sakta tha par saamne ARCHANA BATRA khadi thi...

apni competitive world me najaane kaise kaise champions se mili hongi woh...

aise me itni jaldi kisi ka loha maanana,asaan toh hone se raha ye...

kuch pal mujhe dekhne ke baad wapas apni beti ki taraf ghumi aunty aur...


ARCHANA-us bike par aaye ho aap dono...???

ashram ke just bahar hamari pulsar 220 khadi thi jahan ARCHANA BATRA ke entry ke time khade the hum dono...

ussiko point kiya tha unhone...

MAI-jee...

ARCHANA-acha ek batao beta...hamare mansion se is ashram ki duri 50 kms hai...

exactly 7.15 ko nikle the aap dono hamare ghar se...7.26, highway me the aap dono...

7.40 me aap dono exactly 20 minutes ke liye highway me hi ruke the...

uske baad yahan tak toh aap dono bade araam se pahunche ho par that ride between 7.26 to 7.40...

kareeb 28 km ki doori aap dono ne 14 minutes me cover kar li thi...how...???

DIMPLE-SANVY...!!!he loves speed...bohot tez aaye hain hum par riding bilkul bhi rough nahi hai iski...

its like a natural gift for him...

ARCHANA-really...!!!ye baat toh common ho gayi phir hamare beech...

i too love speed...chalo phir,ek race ho jaaye...tum apni bike par aur hum meri car me...

DIMPLE-mom...ye kaisa mazak hai...???

ARCHANA-arre just for fun... waise bhi,mai bhi toh dekhun ki daughter of ARCHANA BATRA,DIMPLE BATRA jiska murid har woh shaksh hua hai jisse mili hai woh...

woh khud jiski fan ho rakhi hai,kaisa hai woh shaksh...???


NEW GIRL jaanti thi ki uski mom ke challenge se back out karunga nahi mai par ek sach ye bhi tha ki ye race logical kahin se bhi nahi thi...

kahan ferrari 812 aur kahan pulsar 220...

DIMPLE-common mom...race ke liye vehicle bhi takkar ki honi chahiye naa...

MAI-that won't be a problem...aur tum relax karo...the race is on aunty...bas ek minute...

ashram ki taraf dekhte hue kahi thi apni baat maine aur phir ussi taraf badh gaya...

wahin mujhe limp karte hue jaate dekh...


ARCHANA-ye limp kyun kar raha hai...???

DIMPLE-chot lagi hai uske pair par...

ARCHANA-oh...then we should drop the idea...

DIMPLE-ye challenge karne se pehle sochna chahiye tha aapko...

SANVY never backs out of any challenge and mind you,he always comes out winner...

jis confidence se apni baat boli thi DIMPLE ne,uski mom hairan hokar dekhne lagi thi usse...


ARCHANA-maana ki mai aapki mom hun par kya meri identity bhi bhool gayi aap...

ARCHANA BATRA koi challenge seriously kare ya mazak me, jeet hamesha meri hi hoti hai aur phir yahan toh koi competition hi nahi hai...

DIMPLE-we will see mom...


abhi bhi bina naam liye hi SANVY ke liye wahi confidence tha DIMPLE ki tone me jisse sun ab man hi man thaan liya tha ARCHANA ne ki ab ye race badi humiliating way me harane waali thi woh SANVY ko...

WROOOMMMMM.......

bike ki is tez engine noise se nazar NEW GIRL aur uski mom ki us awaaz ki taraf gayi jahan is waqt mai moujud tha...

par ab meri sawari pulsar nahi balki RAHUL bhaiya ki red CBR 1000 thi...

DIMPLE-ye bike...!!!

MAI-pehchaan waale ki hai...woh meri bike lekar aa rahe hain...so aunty, let's begin...

ARCHANA-nice bike beta...par race jeetna bikes ya car par nahi,unhe chalane waale par depend karta hai...

MAI-par race hoti toh bikes aur car me hi hai na aunty...waise bhi,ye bike race jeetne ke liye nahi, aapke car ki respect me chala raha hun mai...

ab pulsar ferrari se race karti achi toh nahi lagegi naa...


bohot calm tha mera face jisse bade dhyan se dekh rahi thi aunty...race ke liye haan keh diya tha maine par isse jeet unhe impress karne waali determination nahi dikh rahi thi mere face par...

DIMPLE-mai...

MAI-haan,tum aunty ke saath hi jaao...city colony ke bahar wait karunga mai...

mere saath aana chahti thi NEW GIRL jisse offend ho sakti thi uski mom...

isiliye hi uski baat shuru hote hi kaat di thi maine aur NEW GIRL is baat ko samajh bhi gayi thi...

halke smile ke saath mujhe all the best ka thumbs-up kar car ki passenger seat par baith gayi woh...

wahin dusri taraf bike ke saamne right mirror par red black helmet jiske andar hand gear bhi rakhe hue the,nikaal pehene maine aur helmet sir par daalte hue ek baar aunty ki taraf dekha jo mujhe hi dekh rahi thi...


AUNTY-you can take a head start...

MAI-thanks for the gesture aunty par race ek hi line se ek hi waqt me agar shuru na ho toh phir race kaisi...!!!???

AUNTY-i like your confidence beta... let's see,tumhara hunar tumhare confidence ko match kar sakta hai bhi ya nahi...

car me baith chuki thi aunty jiske 10 second ke andar hi unki ferrari aur meri cbr aage badh chuki thi....

VROOMMMM....

ab rpm ke hisaab se cbr ki kya hi haisiyat thi ferrari ke aage...yahi wajah thi ki 10 seconds ke andar hi 30 metres se zyada ka fark already ho chuka tha hamare beech...

Ferrari aunty ke daksh haathon me badi tezi se mujhse aage nikal chuki thi par tabhi aaya ek diversion jisme badi tezi se mood gayi meri bike...

wahin aunty joki back view mirror me ek bright smile ke saath mujhe piche hota hua dekh rahi thi,jab unhone mujhe yun ek new way me mudte hue dekha toh halki surprise ho gayi...

same chiz NEW GIRL bhi center mirror me dekh rahi thi...


ARCHANA-ye SANVY kahan gaye...!!!hume aage nikalta dekh race ka idea drop kar kahin chill karne toh nahi nikal gaye...

DIMPLE-jo challenge se back out kar jaaye, that's not SANVY...jitne ache se aap apni beti tak ko nahi jaanti,usse behter woh in raaston ko jaanta hai...

har inch naapi hui hai uski...50 km ko 40 me badalna aata hai usse...


ek hi statement me apni MAA ko taana aur SANVY ki taarif,dono kar di thi DIMPLE ne jispar taane ko toh sire se ignore kar diya tha ARCHANA ne par shortcut waali baat dimag me chhap si gayi uski...

ARCHANA-40 kya,doori ko 30 me bhi badal de toh bhi race mai hi jeetungi...

ek kaam karo,yahan SANVY ka mobile number daalo...

apne car ka g.p.s tracking page khol jisse ARCHANA ne apni beti ka location track kiya tha, point kiya usne jispar kuch kehne ko hui DIMPLE...


ARCHANA-no argument...just do it...


halke tough tone me order sa diya tha ARCHANA ne jispar chuchaap display me dikh rahe gps tracker par SANVY ka number input kar diya DIMPLE ne...

uske aisa karne ke kuch palon baad hi N.H 48 diversion route ke upar red dot dikhne laga tha jisse dekh ek smile naach uthi thi ARCHANA ke face par...


ARCHANA-got you kid...


apne acceleration paddle par thoda extra pressure daal diya tha ARCHANA ne jiske baad aisi koi gaadi nahi thi jisse overtake kar aage nahi badh rahi thi uski ferrari...

ARCHANA-and we are here or should i say,only we are here...

apne posh colony par pahunchne se pehle jo turn aata tha,wahan ghoom chuki thi ARCHANA ki car...

is route par 3 kms tak bas ek hi straight road tha jispar ARCHANA aur DIMPLE dono ko kahin bhi SANVY aur uski bike nazar nahi aayi thi...

jahan ek confident aur winner smile ke saath apne colony ke entrance road par douda thi apni car ARCHANA ne wahin DIMPLE ke face par SANVY ke haar jaane ke kaaran ek nirasha saaf dikhne lagi thi jo uski mom se chhup nahi paayi thi...

ARCHANA-hota hai beta...kabhi kabhi hume ordinary bhi extraordinary sa lagta hai but as they say,"har chamkti chiz sona nahi hoti"...

DIMPLE-par kuch toh hoti hi hai...

ARCHANA DIMPLE ko hi dekh rahi thi jahan achanak hi facial expressions badal chuke the...

murjhaaye hue phool se DIMPLE ka face achanak hi 1000 watt ke bulb ko tarah chamak utha tha...

aur reason...

SANVY...joki unki colony ke just bahar lage bade se gate ke right side araam se bike par tik kar khada hua tha...

SANVY ko saamne dekh jahan ek taraf DIMPLE ki khushi ka thikana nahi tha wahin dusri taraf thi uski mom ARCHANA BATRA jinka mooh is baar shock control karne ke liye khudko kaabu me naa rakh paaya aur khul sa gaya...


ARCHANA-how...???g.p.s ke according aap abhi 3 km door hain...

MAI-correction aunty...aapke g.p.s ke according mera phone abhi 3 km door hai...actually 2.5...

DIMPLE-kisi aur ko de diya tha tumne apna phone... matlab you knew ki mom tumhare phone me through tumhe track karengi...!!!

MAI-ashram ke bahar kaha tha maine...ek aankh khudki taraf toh dusri taraf apne competetor ko taraf rehti hai aunty ki...

toh ab ye strategy bhala kyun change karti...right aunty...!!!

rahul bhaiya jinki ye bike hai,unhe yahan ka address diya hua hai...wahi meri bike aur mera phone lekar aa rahe hain is taraf...

ARCHANA-brilliant...i accept my defeat...bas do sawal hain mere...

first,jis raaste se left turn liya tha tumne... wahan se yahan tak ka approx distance kitna tha...

MAI-3 turns aur liye tha aunty aur distance 38 kms pada aunty...aapke pahunchne se bas 2 minute pehle hi pahuncha hun mai...

ARCHANA-20 minute me 38 km... matlab continously 120 se 150 ke beech chali hai bike...woh bhi normal se thode zyada traffic me...superb...

man hi man SANVY ki driving skill ka proper speculation karne ke baad uske liye ek baar phirse taarif nikli thi ARCHANA BATRA ke man me...

ARCHANA-maine yahan se tumhari bike ka distance 3 km bataya par tumne 2.5...why...???

MAI-the g.p.s system in your car...

it's PRIME TRACKING right...!!!

ARCHANA-how do you know...???

MAI-aapne bataya tha ki 7.15 ko hum aapke ghar se nikle the...aapki bas wahi baat sahi thi...

highway par hum 7.26 ko nahi balki 7.25 ko pahunche the aur highway par jo halt liya tha humne,woh 7.39 ko liya tha naaki 7.40 ko...

ek minute ka time difference aaya tha aapke calculations me aur ye difference PRIME TRACKING g.p.s locator ka one and only drawback hai...

par kyunki locations kaafi prefect show hote hain is tracker me isiliye zyadatar international brands high octane cars issi tracker ko apne g.p.s me install karte hain jo aapki car me bhi hai...

PEEPEPPP....

meri baat ka jawaab aunty deti ki tabhi humse thodi door pahunch khade RAHUL BHAIYA ne bike ki horn blow ki...


MAI-i will take your leave now aunty...bye...

DIMPLE-bye...

ek formal smile aunty ko dene ke baad ek love mixed farewell apne NEW GIRL ko diya maine jisse apni beintehan khubsoorat smile se aur acha bana diya tha usne...

bhaiya ki bike me baith unki taraf badh gaya mai...

kuch seconds unse baat karne me baad bhaiya ko thanks bol unki bike wapas unhe sounp ek baar phir palath NEW GIRL ko bye wave karte hue mai apni bike par baith bhaiya ke saath aage nikal gaya...


DIMPLE-chalen mom...

ARCHANA-haan, baitho...


DIMPLE toh wapas car me baith gayi par SANVY ko piche se jaate dekh ARCHANA BATRA ki nazar uspar hi tik chuki thi...

par challenge haarne ke baad face par jo ghussa dikhna chahiye, woh emotion nadarad tha...

infact ek alag hi smile naach rahi thi is waqt ARCHANA BATRA ke face par...


ARCHANA BATRA-SANVEER AHARYA...the PRODIGAL SON...




bewakufon se bhari saari duniya ki ABAADI HAI...

sirf akalmandon ko hi apne hisaab se rehne ki AZAADI HAI...

aise me tera dimag tere liye vardan hona chahiye tha magar...

khabar nahi tujhe ki tera ye hunar hi teri SABAB-E-BARBAADI HAI...








AAJ KE LIYE ITNA HI...





AAPKA APNA V...J...
 
Member
182
254
43
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF DIMPLE ASHA MAA SE MILTI HAI WAHIN DUSRI TARAF ARCHANA BATRA KO SANVY RACE ME HARA DETA HAI...

AB AAGE:-


CHAPTER 1

(ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE -82

DATE-25TH DECEMBER


CITY-DEHRADUN

PLACE-SANEEL'S RESIDENCE






WE WISH YOU A MERRY CHRISTMAS
WE WISH YOU A MERRY CHRISTMAS
WE WISH YOU A MERRY CHRISTMAS
AND A HAPPY NEW YEAR
GOOD TIDINGS WE BRING
TO YOU AND YOUR KIN
GOOD TIDINGS FOR CHRISTMAS
AND A HAPPY NEW YEAR
WE WISH YOU A MERRY CHRISTMAS
WE WISH YOU A MERRY CHRISTMAS
WE WISH YOU A MERRY CHRISTMAS

AND A HAPPY NEW YEAR
NOW BRING US A FIGGY PUDDING
NOW BRING US A FIGGY PUDDING
NOW BRING US A FIGGY PUDDING
AND BRING SOME OUT HERE....

WWOOOWOOOOOOO.....



red colour ki shoulder button long embellished dress jiske upar ek half cut snowy colour ki muffler type design bani hui thi,carry karte hue SANVY ke main door se joki aaj puri tarah khula hua tha,jab enter kar rahi thi DIMPLE tabhi andar se aa rahi loud Christmas hymn ki sound padi thi uske kaano me...

awaaz sunkar hi samajh gayi thi DIMPLE ki group ke baaki sab members usse pehle hi pahunch chuke hain...

par dhyan uska aadha hi in sabki taraf tha...baaki ka dhyan uska gallery me tange decorations par tika hua tha...

alag alag tarah ke beautiful flowers ke beech wreath bade salike se sajaye gaye the walls par...

(WREATH-flowers, leaves aur stems ko ek ring ki shakal dekar banaya jaata hai wreath...internal life jisse Christianity me bohot zyada mahatv diya jaata hai,uske symbol maane jaate hain ye wreath...)


DIMPLE-hey...


un decors ko dekh aage badh hi rahi thi DIMPLE ki tabhi uske aaju baaju se bohot se bacche jo ki har saal ki tarah aaj bhi christmas celebration ka part banane ke Liye Yahan moujud the,woh bhaagte hue Bahar nikle the...

sabhi ke mooh me candies bhari hui thi aur bohot si unki jebon me bhi chuppi thi...

shararat aur maasumiyat...ek saath ye dono hi bhaav dikh rahe the un bacchon ke face par jisse dekh smile apne aap naach uthi thi DIMPLE ke face par...

Khair, gallery cross karte hue hall me enter kar chuki thi NEW GIRL...


DIMPLE-hey guyzzzz......wowwwww....


SANVY aur VERONICA ko chhod baaki sabhi hall me hi moujud the jinhe dekh gesture diya hi tha DIMPLE ne ki tabhi usku nazar hall ke complete decorations par padi jisse dekh delightfully surprise ho chuki thi woh...

khud itni zyada rich hone ke kaaran bohot se high class christmas celebrations ka hissa reh chuki thi woh par aisa unique decorations style usne pehle kabhi nahi dekha tha...

kal raat hi toh thi woh yahan... decorations ke ma'am par bas lighting aur usual cristmas tree bas lage the pure Ghar par lekin ab mahoul naa sirf 100 times modified tha balki utna hi beautiful bhi tha...


"KAL JAB AAYEGI YAHAN,YOU WILL BE SURPRISED"...


kal raat jaate waqt DIMPLE ko ANJALI ke kahe ye shabd wakayi sach ho chuke the...

kaise,khud jaan lijiye...

sabse pehle toh floor jispar is waqt biche tiles puri tarah chhup chuki thi...

tiles ke upar tapes put kar non sticky carpet lage the aur aisa karne ka reason tha upar wall par laga ek pointed holes waala bada sa vent...

pichle 2 dino se issi vent ko babane me lagaye the SANVY ne aur aaj early morning hi isse upar wall par lagaya tha usne...

fake snow jisse thermacol ke mash se banaya gaya tha,usse vent ke upar rakha gaya tha jiske baarikh chhedon se woh mash dheere dheere neeche gir rahe the...

waise toh snow head machine ke istemal se bhi aisa mahoul create kiya jaa sakta tha par already itni zyada thand me snow fall karwana thik nahi tha...

khair,woh thermacol mash neeche girte hue bilkul snow rain ki feeling paida kar rahe the...

moving on, normally cristmas decorations me artificial aur kahin kahin natural show trees ka use kiya jaata hai...

saath hi saath twinkles, sparkles, balloons and most importantly,stars se sajaya jaata hai hall par yahan aisa nahi tha...

saare walls wreath ke saath saath bade bade green garlands se saje hue the...

haans,stars saje the kaafi jagah par uske baad koi bhi common cristmas decor nahi dikh raha tha DIMPLE ko...

un decors ki jagah chote chote green plants lagaye gaye the aur garlands se bhare pure hall ke beech unhi garlands se ek naya pedh banaya gaya tha...

white pine aur syprus ke saath dusre attractive trees ke branches ko samet us pedh ko banaya gaya tha joki us fake snow fall ke girne ki wajah se aur khubsoorat dikh raha tha...

waise us tree aur baaki plants ke beech ek aur chiz thi jo naa sirf common thi par saath hi saath DIMPLE ke liye surprising bhi thi...


MISTLETOE...(white berries se ghira ek chota sa plant joki khaaskar apple,lime aur conifer trees ke branches me ugta hai...dikhne me bohot hi beautiful aur isse cristmas me love ang laughter ka symbol bhi maana jaata hai)


un saare chote chote MISTLETOES ko dekhte hue apne group ki taraf badh rahi thi DIMPLE joki is waqt usse hi dekh rahe the...

reason...

DIMPLE ki khubsoorati jisse uske pehne hue red embellished dress ne is kadar badha diya tha ki nazaron ko toh uspar tikna hi tha...

chehre par halka sa bhi makeup nahi par sardi ki wajah se skin me banane waale kheenchav ne DIMPLE ke fakk gore chehre par ek behadh khubsoorat kudrati laali odha di thi jo usse kisi pari se kam haseen nahi bana rahi thi...

thandi nami joki hill station ki kadakdaar thand me common hoti hai,usne DIMPLE ki aankhon me ek aisi kashish jaga di thi ki jo bhi dekhe unme,bas doob hi jaaye...

aisa lag raha tha jaise cristmas ne khudko milne waali saari wishes DIMPLE ke roop aur rangat ko tohfe me de di thi...


DIMPLE-merry cristmas MAA...


ASHA MAA jinhe kal dopahar hi le aaya tha SANVY,sabhi ke beech ek arm chair par baithi hui thi...

sabse pehle unhi ke pair chhue the DIMPLE ne jispar uska maatha chumne ke baad usse apne gale se laga liya tha unhone...

hamesha khush raho beta...

gale lagne ke beech dua ke in chand shabdon ko apne dil me utarte hue feel kiya tha DIMPLE ne...

anyways,ASHA MAA se gale lagne ke baad baaki sabke saath bhi wish ka aadan pradan kiya DIMPLE ne par is beech nazar uski SANVY ko hi dhund rahi thi...


RASHI-room me hai apne woh...taiyar ho raha hai...waise ab toh tujhe SANVY ki dono hi mom's ne accept kar liya hai...

chaahe toh chali jaa uske room me...khudhi ready kar dena SANVY ko...


DIMPLE-chup...!!!kuch bhi bolti hai.....


chehre par pehle hi laali odhi hui thi DIMPLE ne...RASHI ki baat sun us laali par ek parath aur chhadh chuka tha...

RASHI ki baat sun uske side me khadi KHANAK bhi ghumi DIMPLE ki taraf aur...


KHANAK-sahi toh bol rahi hai...waise bhi,jitni hot lag rahi hai tu, SANVY ready hone se pehle ek baar dekh le toh uske according thoda extra ready ho jaayega...

DIMPLE-woh ready naa bhi ho naa tab bhi baakiyon se zyada hot lagta hai mujhe...

KHANAK-aaye haaye...taaruf hi taarif hai....sach kaha hai kisine... khubsoorati toh dekhne waale ki aankhon ki mohtaj hai...


DIMPLE-strange...


paas hi teen bacche santa ki dress me khade baj rahe cristmas hymns me halke halke jhoom rahe the par strange baat ye thi ki unhone usual red santa dress nahi pehni thi...

infact teeno hi bachon ne alag alag colour me santa dress pehni hui thi...

ek ne green, dusre ne purple aur teesre bache ne blue colour me santa dress pehni hui thi...

unhe hi dekhte hue strange kaha tha DIMPLE ne jisse baaki sabne bhi sun liya tha...


SAM-welcome to the real christmas celebration...decor se lekar jitni bhi christmas regarding chizen dekh rahi ho tum yahan,woh sab pure authentic hai...

waqt ke saath modified nahi...

DIMPLE-mai samjhi nahi...

ANJALI-i will tell you...so ye jo wreaths,garlands aur baaki sab decor jo dekh rahi ho tum, medivial times se christmas me originally yahi sab use kiya jaata tha...

Egyptians and romans aise hi christmas manaya karte the par reason me ek additional point tha...

spring solstice ke return ko bhi enjoy karte the woh log...unhi ke celebrations theme ko baaki duniya ne thoda modify karte hue apne christmas celebration me use karna shuru kiya...

par aunty shuru se hi christmas ke celebrations ke liye unhi original themes ko use karti aa rahi hai...

RAJAT-and now for the dresses of santas jinhe dekh strange kaha tha tumne...

actual me jabse santa claus ke gift dene waali pratha shuru hui thi,tabse hi unke initial clothing green,purple aur blue hi thi...

par baad me coca-cola company ne decide kiya ki woh santa ke clothes ki colouring apne brand ke match ke hisaab se karenge aur tabse red santa clothes ka chalan shuru hua...

par hain toh woh modified hi... real santa clothes are the one which these kids are wearing...

DIMPLE-wow...


apne roots par VERONICA ki knowledge aur uspar amal karne ki soch ko dekh aaj ek baar phirse shocked hui thi DIMPLE...

SAM-aunty is here...


three block red print,floral three fourth suit pehne apne room se bahar nikli thi VERONICA jinhe dekh ek baar phirse sabki nazar unpar theher si gayi...

safed damakta chehra jis par koi extra makeup nahi aur naahi koi alag se shringar...

bas kaano me patli par lambi baaliyan pehni thi unhone aur pairon me thode unche sandles jo inke unche kadh ko aur badha chuke the...

ek jeeti jaagti aisi gazal dikh rahi thi VERONICA is waqt jisse naa toh padhne ki kisi ke paas nazar thi aur naahi samajhne ki kala...

ek tak unhe dekh rahi sabhi nazaron ke beech ASHA MAA ke paas pahunch chuki thi VERONICA joki is waqt prashansaniya nazaron se apni is chotu behen aur uske bejod roop ko dekh rahi thi...

umr me kaafi badi thi ASHA MAA VERONICA se aur darja unhe apni badi behen ka hi diya tha VERONICA ne...

isiliye paas pahunchte hi ASHA MAA ke pair chhu liye the unhone jispar turant VERONICA ko utha unhe mooh aur dil,ek waqt me dono se hi dua dete hue apne gale se laga liya tha ASHA MAA ne...

par is beech aankhein halki bheeg gayi thi ASHA MAA ki jisse alag hone ke baad dekh...


VERONICA-arre...ye aansu kyun...???

ASHA MAA-tu jaisi hai naa VERONICA, bohot kam hain is duniya me...

haan jaanti hun kismat kisi ki sagi nahi par agar koi hai jisse kismat ko har sukh,har khushi hamesha ke liye dete rehna tha toh woh tu hai...

par tere khushi ka sabse bada shroth,SANEEL,usse hi chhin liya us kismat ne tujhse...

VERONICA-hamari kismat hum khud likhte hain didi...aur SANEEL bhale hi nahi hai par jaane se pehle meri khushi ka sabse bada shroth metri godh me dekar gaya tha woh...

mera beta jo ab aapka bhi utna hi hai...SANVY...


SANVY ka naam sun ASHA MAA ke face par ek badi si smile naach uthi thi...

wahin dusri taraf ASHA MAA ki baat ne mahoul thoda serious kar diya tha jisse light karne ke liye...


SAM-this is not fair aunty... hotness ka level itna badha diya hai aapne ki ab mai kisi ko date karun bhi toh kaise...???

aapke jitni beautiful toh koi milegi nahi aur aap se kam chalegi nahi...

yaa toh apni jaisi koi dhund kar do mujhe ya phir khud wapas chhoti ho jaao taaki date kar sakun mai aapko...


MAA TOH EK BAAR CHOTI HO BHI JAAYEGI BETA PAR TU ITNA BADA KABHI NAA HO PAAYEGA KI VERONICA PAUL AHARYA KO DATE KAR PAAYE...


SAM ki shararat bhare sawal ka jawab aaya mere room ke darwaze par jahan se mai ready hokar bahar aa raha tha...

face par ek bright smile liye jispar baaki sabke saath NEW GIRL ki bhi aankhein atak gayi thi,ASHA MAA ne jo t-shirt di thi mujhe,uske upar maroon rang ki jacket daali hui thi maine,khaaki trousers ke saath pointed black shoes daale hue the maine...


MAI-merry christmas MAA & MAA...


apni dono MAA ke beech pahunch pehle ASHA MAA ka aur phir apni MAA ke pair chhue the maine aur ye dekh dono hi bade khush ho gaye the...

ASHA MAA badi jo thi...


MAI-merry christmas...


haathon me meri ek gift thi jisse NEW GIRL ki taraf badha diya tha maine...

chota sa gift wrap tha ye jisse apni beintaha khubsoorat smile ke saath accept kar aur mehenga bana diya tha usne...


VERONICA-oh common...sharma kyun rahi ho beta...go on...give your guy a hug...

ishq bhaade ki chiz nahi hai,you own it...

SANVY sabke saamne bhi utna hi tumhara hai jitna akele me...

MAA ki baat sun pehle halka aur sharma gayi thi NEW GIRL par asar unki baat ka hua tha uspar...

ek second meri aankhon me dekhne ke baad aage badhi woh aur merr gale lag gayi...


DIMPLE-merry christmas...

apne saath jo gift wrap me laayi thi woh, alag hone ke baad mujhe pakda diya tha usne...


MAI-cake cut jaaye...uske baad kholna...

RASHI-true...hum sabko bhi hamare gifts mil chuke hain par kholne ki permission cake cutting ke baad ki mili hai...

mera diya gift wrap kholne lagi thi NEW GIRL par rok diya tha maine...


DIMPLE-cake cutting...why...???aaj toh na aunty ka birthday hai aur naa tumhara....MAA,aapka...???


ASHA MAA ko pucha tha ye sawal NEW GIRL ne jispar naa me sir hila diya unhone...


DIMPLE-phir cake cutting...kya ye bhi koi ancient christmas ritual hai...???

MAI-ancient ritual toh nahi par haan,do ancient logon se connected zaroor hai...

VERONICA-kya bola badmash...???

mera kaan modne aane lagi thi MAA jispar ASHA MAA ki taraf bhaag unke piche chhup gaya mai...

par is beech NEW GIRL ke face par confusion ke bhaav thoda aur badh gaye the jisse dekh...


ANJALI-arre actually aaj hi ke din SANEEL uncle ne MAA ko shadi ke liye propose kiya tha...

aur ek maze ki baat bataun...MAA ne jo dress abhi pehni hai naa,us din bhi issi pattern ki dress pehni hui thi inhone...

isiliye SANVY har saal MAA ke cristmas me pehenene ke liye same pattern ki dress dilata hai and he celebrates it with cutting a christmas cake...


NAISHA-ek aur interesting baat bataun...uncle ne aunty ko ek apple garden me propose kiya tha aur jis apple tree ke niche aunty ne unke proposal ko accept kiya tha, luckily it had a MISTLE TOE on it...

DIMPLE-the true symbol of love...

ANJALI-yup.... isiliye toh uncle aur MAA ki love story epic hai...

SAB-true that...

RASHI-and here comes the cake...


heart shaped 5 pound ka home made cake tha ye jisse tray me dhakelte hue RASHI aur KHANAK hall me laaye the...

WOOOOOHOOOO.....MERRY CHRISTMAS....DHAMMMMMM....


cake aate hi side me rakhi cake knife maine MAA ko pakda di jisse kaat pehla tukda ASHA MAA ko khilane ke baad dusra tukde ka aadha bhaag pehle mujhe aur ussike second part ko NEW GIRL ki taraf badha diya tha unhone jisse badi khushi se khaa liye usne...

is beech ladke aur yahan moujud bacche howling karte hue balloons fodne lage the...


ANJALI-MAA,christmas ke baare me aur unknown facts batao naa...!!!

apne hisse ka cake bite chabate hue MAA se ye sawal kiya tha ANI ne jisme shayad baaki sabki bhi dilchaspi thi...

nazar sabki MAA par jo theher gayi thi aakar...


DIMPLE-haan aunty...bataiye naa...

VERONICA-ok...cake khaa rahe hain toh issi ke baare me jaan lo pehle...

par pehle ye batao ki christmas ke ks cake ko kis naam se bulaya jaata hai...???

DIMPLE-plum cakes...

VERONICA-right,but kabhi socha hai kyun...???i mean isme plum jaisi koi chiz toh rehti hi nahi hai...

this cake is made if raisins...

MAA me sawal par NEW GIRL ke saath baaki sabne bhi apne apne kandhe uchka diye the...

VERONICA-medieval times me raisins ko hi plum kehte the...hence,plum cake...

but the most important thing...is christmas ke cake ko properly banane ka tarika paste ko east to west direction me steer karna karna hota hai...

aur woh isiliye kyunki the three wise men jo Jesus Christ ke janm ke waqt unse milne aaye the,unka safar east yo west direction ke tha...

unhike safar ke respect me cake ke paste ko east se west steer kiya jaata hai...

and same thing goes for the christmas eve...three wise men ke 12 days travel ki wajah se hi christmas eve bhi 12 din ka hota hai...

RASHI-thats really awesome...aisa bhi kuch hoga,pata hi nahi tha mujhe toh...

NITS-hume bol...

KHANAK-aur kuch bataiye na aunty...

VERONICA-ye jo christmas tree lagayi jaati hai,ye ritual bhi bohot baad me aaya tha... it's not the original theme...

NAISHA-really...!!!

VERONICA-yup...germany ke prince ALBERT...unhone apni wife ke liye joki us waqt queen thi england ki, queen Victoria,ek decorated tree gift ki thi...

1848 london me illustrated news naam ke paper me un dono ki ek picture jisme woh gifted tree bhi thi,chappi thi and that took off quite rapidly...

us din ke baad se hi christmas me tree ko sajane ka chalan shuru ho gaya tha jo ab bhi jaari hai...


NOW THAT'S SOME NEWS...!!!

VERONICA ke diye unique news ke baare me koi kuch bolta ki tabhi ubhri ye nayi awaaz jisse sun ANJALI ko chhod sabhi thode chownke the...

reason...


SAM/ANJALI-MOM...


ANJALI aur SAM...dono ki moms jo khadi thi gallery ke edge par...


ANJALI isiliye nahi kyunki usne hi apni mom ko yahan aakar SANVY aur uski mom ko cristmas wish karne ke liye force kiya tha...

waise toh manana nahi chahiye tha SHRAVYA ko par kuch waqt pehle SAATVIK CHOPRA ke account waale maamle me jo help ki thi VERONICA ne uski,ek debt me thi woh uske isiliye zyada aana kaani naa kar yahan kuch der ke liye aane ko maan gayi thi SHRAVYA...


SAM-mom,aap yahan...what a pleasent surprise...!!!

apni mom ko side kar unke saath lag kar hi khada ho chuka tha SAM...

wahin is beech kuch pal ke liye SHRAVYA aur SMRITI dono ki nazar VERONICA ki bejod personality par theher si gayi thi...

aurat waali jalan saaf jhalak uthi thi unke faces par jisse chhupa SAM ki taraf smile karte hue ghumi uski mom...


SMRITI-hume ek urgent meeting ke liye nikalna tha... SHRAVYA told ki usse yahan VERONICA ko wish karne aana hai...

ab mujhe pata tha ki tum bhi yahan the isiliye mai bhi chali aayi...


VERONICA-bohot acha kiya...merry christmas...

cakes se bhare do plates un dono ke aage kar diye the VERONICA ne jispar jhuti smile dete hue ek ek bite tod khaa liye SHRAVYA aur SMRITI ne...


VERONICA-arre...ye puri plate tum dono ko hi finish karni hai...

SMRITI-arre nahi...sweet kam hi khaati hun mai...

SHRAVYA-same here...

DIMPLE-wow...it's beautiful...


cake khaaya jaa chuka tha aur isiliye sabhi apne apne gift ko kholna start kar chuke the...

jab DIMPLE ne apna gift wrap khola toh uske andar tha ek box...

box open karte hi uski aankhon ke saamne ek bohot hi sundar bracelet aaya tha jispar capitals me uske initials likhe hue the...

DIMPLE...par jo chiz NEW GIRL ko sabse zyada pasand aayi thi,woh thi apne naam ke saath niche ki taraf nikal likha hua chote aksharon me dusra naam....

JHALLA...

wahin naam jisse NEW GIRL mujhe bulati thi..DIMPLE ki tarah JHALLA bhi exact 6 letter word tha aur isiliye perfect baitha tha...


MAI-arre waah...ye toh match ho gaya...


NEW GIRL ne bhi mujhe ek behadh khubsoorat bracelet hi diya tha jispar S.A as in SANVEER AHARYA naam se heart shaped banakar intial likha hua tha...

par usse bhi pyari chiz thi woh D(DIMPLE) jo us heart shaped S A ke beech likhi hui thi...


SHRAVYA-wow... that's a beautiful bracelet...

mere diye gaye bracelet ko apne haathon me pakad bade pyaar se dekh hi rahi thi NEW GIRL ki tabhi SHRAVYA aunty ki nazar padi hum par...

NEW GIRL ke haathon me jo shining bracelet tha,usse dekh hamari taraf badhi woh aur unki baat jisse unke baaju me khadi meri aur SAM ki mom ne bhi sun liya tha,woh bhi SHRAVYA aunty ke saath hamare paas aa chuke the...


SHRAVYA-it's gold...


halke surprise tone me kahi thi ye baat SHRAVYA ne joki laazmi bhi thi...

kareeb dhai tole ka gold bracelet tha woh bhi pure 24 caret ka...

SHRAVYA ki paarkhi nazaron ne us bracelet ka pura calculation kar liya tha...


SHRAVYA-kya baat hai beta...gift diya bhi toh DIMPLE ke standard ka...not bad...par beta, DIMPLE ka standard toh life time uncha hi rehne waala hai...

kya hamesha aise gifts de paaoge...!!!

taarif ke baad apne natural taunt karne waale roop ne aa chuki thi aunty...


JO KHUD DIAMOND HO,USSE GOLD DENE KI KYA ZAROORAT...!!!

SHRAVYA aunty ki baat par kuch kehta mai ki tabhi aayi unke piche se ye awaaz jisse sun jab piche palte sab toh aankhein sabhi ki badi ho chuki thi...


ARCHANA BATRA....NEW GIRL ki mom khadi thi wahan...

unhe dekh jahan ek taraf SHRAVYA aunty hadbadane ke baad nervous si jo gayi thi wahin dusri taraf SAM ki mom ghurne lagi thi unhe...

waise ek pal ke liye apne saamne ARCHANA BATRA ko dekh meri MAA bhi shocked hui thi par phir us shock ki jagah smile ne le liya tha...


ARCHANA-hey VERONICA...

VERONICA -hey ARCHANA...

ARCHANA-kya baat hai yaar...waqt ko thaam hi liya hai tune...bilkul bhi nahi badli tu toh...

VERONICA-lavender lemonade aaj bhi favourite hai tera...!!!

VERONICA ke sawal par smile kar diya tha ARCHANA ne jispar...


VERONICA-phir badli toh tu bhi nahi...

SANVY,ANI...lavender ke fresh petals fridge ke upar rakhe hain...

grind it.... phir ek glass paani me uske saath 2 chammach shakkar,half spoon honey,3 spoon lemon juice daal kar mix it for a minute...

garnishing ke liye kuch petals raw aur lemon slices water top par laga dena and colouring sirf blue hi karna...


ARCHANA-just the way i like it...tu kuch bhi nahi bhuli...!!!

VERONICA-tu bhuli hai...!!!

ARCHANA-not a thing...

DIMPLE-aap...aap dono jaanti ho ek dusre ko...

apni mom ke favourite drink woh bhi unke preferred exact proportion ko ARCHANA ke mooh se soon kaafi shock ho gayi thi DIMPLE...


ARCHANA-mai VERONICA,ye SMRITI..

saath hi padhe hain hum...


DIMPLE-par aapne graduation toh london se ki thi naa...!!!

VERONICA-aakhri ke do saal...first year hum saath hi padhe the...

ARCHANA-ab kya karti...mere champ tag ko is kadar hinder kiya tha tune ki phir rukte nahi bana...

socha,jis din tujhe harane ke laayak ho jaaungi,tab hi wapas aaungi par unfortunately,us mukaam tak pahunchte pahunchte kaafi waqt lag gaya...


VERONICA- agar tu ek bol deti ki jeetna itna important hai tere liye,mai yunhi haar jaati...


VERONICA ki baat sun ek pal ke liye ghussa chhaya tha ARCHANA ki aankhon par lekin phir turant apne emotions ko turant control kar liya usne...


ARCHANA-phir woh jeet thodi naa kehlati...par acha hi hua jo mai chali gayi...

mere jaane ke agle do saal third ranker promote hokar second position par aa gayi thi...

right SMRITI...


SMRITI-tu rehti tab bhi second position meri hi hoti...

ARCHANA-matlab finally you admit ki VERONICA was way better than you...

SMRITI-mai woh...

ARCHANA-hahahaha....


apni hi baat me fas gayi thi SMRITI jispar zoron se has padi thi ARCHANA...


ARCHANA-ummid hai jo tu apne time me nahi kar paayi,your son wiil achieve that feat... right SAMEER...!!!

apna naam sun thoda hadbada gaya tha SAM...


SAM-aap jaanti hain mujhe...!!!

ARCHANA-apne beti ke har class mate aur friends ke baare me jaanti hun mai aur aap toh dono hi ho...

saath hi saath SIRIUS jaise school ke aise champ bhi...i hope ki is baar bhi aap champ bankar hi shine karoge...


SAM-i will try my best aunty...

MAI-here's your drink aunty...


unki favourite lavender lemonade waali tray aage kar di maine jisse thanks bolne ke baad smile karte utha kiya aunty ne...

aur drink peete hi pleasent surprise waale expressions saaf dikhne lage the unke face par...


ARCHANA-you have a cooks hand...

aunty ke compliment par bas smile kiya tha maine...


ARCHANA-ummmh...nice painting... pura hall kaafi beautifully decorated hai tera VERONICA par this the best stuff...alag se dikh raha hai sab..


ANI-SANVY ko uski painting knowledge ke liye RASHI ki mom ne gift kiya hai...

ARCHANA-phir toh ek gift meri taraf se bhi banta hai... world ki best lemonade jo pliayi hai inhone...

MAI-gift ki koi zaroorat nahi hai aunty...

ARCHANA-trust me...you will love it...

CHTTCHTT...


chutki bajayi aunty ne jiske baad gallery me khade unke 4 bodyguards me se ek jiske haath me ek gift bag tha,lekar turant andar aaya...

us bag ko ARCHANA aunty ke haath me pakda wapas chala gaya woh...


ARCHANA-aapke paas aapke mom ki koi winning trophy ya medal hai...


MAI-nahi...MAA ne kabhi unhe sambhal kar rakha hi nahi...

ARCHANA -pata hai mujhe...

you know jab college me first time haari thi mai aapki mom se toh bohot upset thi...

100 aur 200 metre race me haar chuki thi mai isse...

bas 400 metres bache the jispar bhi mera haarna tay hi tha...

par mujhe yun upset dekh final moments me aapki mom ne us race se back down kar liya tha aur mai woh race jeet gayi...

race jeeti,trophy mili par khush mai tab bhi naa ho paayi..kaise hoti,dekha jaaye toh woh trophy bhi thi toh aapke mom ki...

isiliye aaj tak sambhal kar rakha maine zaroor us trophy ko par apne liye nahi balki aaj jaise kisi din ke liye jab mai iski amanat wapas isse sounp du...

ab isse toh value hai nahi par i am sure ki apni mom ki har deserving aur cherishing chiz ko aap sambhal kar zaroor rakhoge...

so,here you go...

us bag se ek trophy nikaal mere haathon me pakda di thi aunty ne aur ye dekh MAA dheere dheere smile ke beech sir shake karne lag gayi thi...


ARCHANA-2 baje mujhe delhi pahunchna hai so i have to leave now...

DIMPLE-mai saath chalti hun mom...

ARCHANA-no...precious time hai ye...friends aur SANVY ke saath enjoy kijiye aap...


but not you sweetheart...bahar tak chhodne nahi chalegi kya...???


VERONICA-nahi bolti tab bhi chalti...

SHRAVYA-hamari bhi meeting ka time ho raha hai...we should also go...

SMRITI-right...again merry christmas VERONICA...

SHRAVYA-merry cristmas...


ek baar phir zabardasti muskurane ke beech gallery se hote hue bahar ki taraf badh chale the SHRAVYA aur SMRITI...

is beech bahar khade 10 cars ke kaafile jiske bahar is waqt ARCHANA ke sharp 24security members mustaidi se khade the,unhe dekh aankhein badi ho chali thi SHRAVYA ki...

un 24 me bas 6 hi unarmed the, baaki sab fully armed lambe chowde bande the...

un sabko dekhne ke beech apni apni car me baith aage badh chuke the SHRAVYA aur SMRITI...

wahin unke nikalne ke agle hi minute ghar ke gallery se hokar bahar nikalne lage the VERONICA aur SMRITI...


ARCHANA-what if i kill you right now...???


sidhe apne dil se nikla sawal pucha tha ARCHANA ne...


VERONICA-haarne ki talab ab bhi hai toh try kar le...

ARCHANA-galathfehmi hai tujhe...woh daur beet gaya jab aage thi tu mujhse...

VERONICA-daur kisson ka hota hai...woh bhi un kisson ko jinhe likh koi aur raha hota hai...

hamari toh kahani hain aur likhne waale bhi hum hi hain...ye naa beetegi aur naa guzregi...

nice security...SWEDEN AB...!!!

ARCHANA-how....!!!how do you know...???


formal black security suits me the saare bande par bas dekh bhar ke unki nasl perfectly bata di thi VERONICA ne jispar aankhein badi ho chuki thi ARCHANA ki...


VERONICA-obvio...FN P90 submachine pakdi hai sabne...

but the way they are holding it...ek ek haath unke barrel aur optical sight group ke beech hain...

a typical SWEDEN AB posture while holding a submachine gun...
apni car ke saamne pahunch chuki thi ARCHANA...

ek guard ne back seat door open bhi kar diya tha...

VERONICA ke explanation ko sun door hold kar uski taraf ghumi woh...


ARCHANA-ek sawal puchun...???

VERONICA-sure...

ARCHANA-all this brain... confidence...best in everything...kya haasil hua...???

VERONICA-sukoon...kuch bhi nahi chahiye...jo hai,kaafi hai...yeh sukoon...

tune toh itna kuch haasil kiya hai...!!!kya tujhe mila,sukoon...!!!

ARCHANA-jab tak tujhe nahi hara deti... kahan se haasil ho woh sukoon...

par vaada hai mera,hamari agli mulakat me yeh sukoon bhi haasil kar lungi mai...


VERONICA-beshak kar legi par bilkul college time ki hi tarah ...apne dum par nahi,mere rehem par...

ARCHANA-bola naa maine...woh daur toh kab ka guzar gaya...

vaada hai mera, agli baar jab bhi hum milenge, tu apne ghutno par hogi...


ek challenging smile ke saath apni baat bol car ke andar baith chuki thi ARCHANA jiske baad woh guard door band karne waala hi tha ki tabhi door VERONICA ke pakad liya...

door side kar apna sir andar daal ARCHANA ke face ke saamne apna face kar uske aankhon ke through uski soul tak ko jaise dekha VERONICA ne...


VERONICA-



naa koi AGAR hoga,naa koi MAGAR HOGA...

jaisa mai chahungi,theek waisa hi ye SAFAR HOGA...

ho sakta hai ki teri baat reh jaaye par mera bhi ek vaada hai...

ghutne mere tabhi jhukenge jab unke neeche zameen nahi,tera SIR HOGA...









AAJ KE LIYE ITNA HI...






AAPKA APNA V...J...
 
Member
182
254
43
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF DIMPLE AUR SANVY CHRISTMAS GIFT ME EK DUSRE KO BRACELETS DETE HAIN WAHIN DUSRI TARAF ARCHANA BATRA VERONICA KO DHAMKI DETI HAI.

AB AAGE:-


CHAPTER 1

(ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-83

DATE-30TH DECEMBER


CITY-DEHRADUN

PLACE-OUTSIDE SIRIUS TRACK'S STADIUM





UTRO NAA BE...AUR TU...GHANTA...THEEK SE YAAD KAR LOUDU...LAST SECOND ME MAI AAGE NIKAL GAYA THA TERE SE...


SIRIUS ke tracks ground ke entrance se just pehle bane parking me scooty se hume dhakka sa de usse park karne ke beech NITS ne SONU ke saamne apni baat rakhi thi...


SONU-bbeta yaad usse kkiya jjaata hai jjo kkabhi beeta ho...

kalpanik cchizon kko na yaad kkiya jaata hai aur nnahi mmujhe imagination kko ssach maanane kka shouk hai..

kkoi llast moment me aage nnahi nikla ttha tu...bbaaki ssaari races kki ttarah pichle hhafte ka rrace bbhi tu hi haara ttha...

NITS-loude se haara tha mai...haara tu tha par pata hai mujhe ki har gaand fattu ki tarah accept karega nahi tu...

aur kaun si baaki sab races be...count karna bhul gaya hai kya... apan dono ke beech kisi bhi challenge ka result 50 50 raha hai...

SONU-50 50 kkaahe...100 percent bbol de naa chutiye...

moohchodi mme hamesha 100 ppercent aage hi ttoh raha hai ttu...

gaandu,cheel ka chodna kam chillana zyada....

NITS-waah re betichod...gaali waale vyakyansh bilkul ek flow me nikalte hain tere...

haar khud accept nahi karta apni aur mujhe taane...ab bata moohchod kaun...!!!

MAI-abbe chuppo be louduon...kisi me 50 50 rahi ya naa raho par mooh chodi me barabar hi ho dono...

kaun aage hai,kaun piche,itni hi chul hai jaanane ki toh saamne dikh raha hai track...doud lo ek baar phir...

NITS-abhi...itne sahi kapde pehenkar lauda doudega mera...

aur bhai tu pehle apni fullan devi ko rok...aandhi hui padi hai...

saamne race track ko point kar kahi thi ye baat NITS ne jahan is waqt NEW GIRL apni 200 metres ki practice kar rahi thi...

usse hi toh lene aaya tha mai yahan...


NITS-abhi fresh bhi hona hai usse...phir ready hone me pata nahi kitna time lagayegi...

lagta hai aaj gayi apni movie...baaki sab dekh lenge uske baad theatre pahunchenge hum...

SONU-ssaale jjab bbaat kkarega,mmanhusiyat hi failayega...

mmovie me abhi 1 ghanta bacha hai...aur ggroup ke ssab ttheatre nahi,idhar hi aa rahe hain...

yahin se saath cchalenge sab...

NITS-ye bhi sahi hai... jaayenge toh sab saath hi jaayenge nahi toh koi nahi jaayega...

HEY...

baat karte hue tracks ke pass pahunch chuke the hum teeno...

wahin paseene se lathpath apne rounds pure karne ke beech NEW GIRL ki nazar bhi humpar padh chuki thi...

isiliye sidhe hamare ta phir to be specific,mere saamne rooki thi...

lambi lambi saason ke beech mujhe hug karne badhi hi thi woh ki tabhi usse apni haalath ka khayal aaya...

mai bilkul outing ke liye ready tha jabki woh sports vest me paseene se lathpath thi...

isiliye beech me hi khud ko rok liya usne par mai nahi rooka...

aage badh NEW GIRL ko hug kar liya tha maine jispar...


DIMPLE-arre tumhari shirt sweaty ho jaayegi...

MAI-toh...!!! hamesha paani se dhulti hai,aaj for a change tumhara pasina hi sahi...

DIMPLE-jhalla...acha tum rooko,mai clean up hokar aati hun...

waise baaki sab kitne time me pahunch rahe hain...???

SONU-15 se 20 minute me...

SONU joki phone par EKPREET se hi baat kar raha call hang up karte hue diya tha jawab usne...

DIMPLE-great...itna time kaafi hai mere liye...

NITS-pakka...!!!

DIMPLE-pakka...


NITS ka girl timing waala shak pehchaan gayi thi NEW GIRL isiliye haste hue apna jawab de palatne hi lagi thi woh ki tabhi...

MAI-aaj ke rounds pure ho gaye tumhare...???

DIMPLE-bas ek reh gaya.. no worries,kal puri kar lungi...

MAI-nopes...ek movie ke liye apna fixed schedule toda nahi jaata...

complete the last round...

DIMPLE-are you sure...???

MAI-always...waise 200 ke rounds kar rahi ho naa...!!!

DIMPLE-yup...

MAI-last week se progress hua kuch...!!!

DIMPLE-itni jaldi kahan...!!!but i am trying...

MAI-hmm...is baar,try harder then...chalo, motivation ke liye i will count your GO...

DIMPLE-be my guest...

NITS-arre bhai rehne de naa...ek aur round ke chakkar me late ho jaana hai...

MAI-tu nahi doud raha be jo ghante bhar me khatm hoga...chill and enjoy the thrill...

NITS-thrill...!!!akeli doud rahi hai ladki...race thodi naa ho rahi hai jo thrill hoga...

DIMPLE-ready...

NITS ke badbadane ke beech mobile ko apne bike saare accessories ke paas rakh wapas track par aa gayi thi NEW GIRL...

race position me aane ke baad ek baar dekha usne mujhe jispar...

MAI-on your marks, get set,GO...

mere GO bolte hi goli ki speed se nikli thi NEW GIRL aur tabhi...

NITS-oh behenchod...itna tez...jaag raha hun ya sapna hai louda...


ye taarif aur shock bhare words NITS ke mooh se NEW GIRL ke liye balki mere liye nikle the...

REASON...

mere GO bolte hi NEW GIRL ke saath maine bhi doudna jo shuru kiya tha...

aur ye baat ekdum sidh me dekh doud rahi NEW GIRL ne mehsoos kar li thi...

mujhe apne saath doudta dekh woh shock toh hui hi thi...

par ye shock kuch seconds baad kuch zyada tab badhne laga jab mai usse halka halka aage nikalne laga tha...

mujhe khudse aage nikalta aankhein badi karne ke beech usne bhi apna pura dum aur tez doudne me lagana shuru kar diya tha par faayda zyada kuch hua nahi...

agle kuch seconds me race khatm ho chuka tha...

finishing line par pahunchte pahunchte mai NEW GIRL se kareeb aadha metre aage tha...

lambi lambi saanson ke beech mujhe apni ab tak badi hui aankhon se dekh rahi thi NEW GIRL...

wahin same shock SONU aur NITS ko bhi laga tha joki laazmi bhi tha...

ab NEW GIRL SAM ko joki hamare school ka champ tha,uske takkar ka doudti tho jisse abhi abhi hara diya tha maine...

jiska matlab unhe samajh aa gaya tha ki SAM se bhi tez hi tha mai...


SONU-ye saala kkya kkya chhupaye hue hai hhumse...

NITS-sach me bhai...louda ab toh kal ke din padhayi me top kar le ye toh bhi shock na lage mujhe...


khud me badbadate hue mere paas pahunch kuch bolne ko hue dono par tabhi NEW GIRL bhi pahunch chuki thi mere paas aur mere kareeb aate hi meri trouser ko upar uthana shuru kar diya tha usne...


MAI-arre tight hai nahi uthegi...aur jis patti ko dekhne ke liye trouser upar kar rahi ho tum,woh dopahar ko hi utar chuki hai...

DIMPLE-kaise...!!!abhi toh ek week bacha tha naa...!!!

MAI-kaisi G.F hai yaar...!!!patti utar gayi,banda theek se chal nahu balki doud paa raha hai,ye dekh khush hona chahiye aur tum ho ki question puche jaa rahi ho...

DIMPLE-baat ko ghumao mat... forcefully nikaali na tumne plaster...!!!

kya SANVY...!!!ek hafte ki hi toh baat thi...agar minor internal swelling bhi bacha raha naa toh bhi badi problem ho sakti hai...

tum naa...bas kadh badh gaya hai tumhara...ho tum ek number ke ziddi bache hi..tumhe...

MAI-hey chill...minor hi sahi,agar halki bhi swelling hoti,i would have felt uncomfortable...

chalna toh phir bhi theek hai,aise doud thodi naa sakta mai... bottom line...i am completely fine...


meri baat par kuch seconds mujhe ghoorti rahi NEW GIRL par phir uski aankhein shaant hone lagi...


DIMPLE-phir bhi...no extra pressure for at least a couple of days...

MAI-done...

DIMPLE-15 minutes...aati hun mai...

MAI-cool...

NITS-kyun re bhosdike...


race tak laga liya tu apni bandi se par hume bataya kyun nahi ki HUSSAIN BOLT ka shagird hai tu...

NEW GIRL ke jaate hi lapka meri taraf NITS par isse pehle ki mujhe jakadta woh, turant side me ho gaya mai jispar disbalanced ho apni hi jhonk me aage ki taraf gir pada woh...


SONU-hahaha...chutiya...


MAI-tere girne me hi mera jawab chhupa hua hai beta...

apne kapde jhadate hue khada hua NITS...


NITS-matlab...!!!

MAI-timing... it's all about timing...usne dhyan nahi diya magar mere saath doudne ki wajah se uski timing me fark aaya hai...it has improved...

but she will feel it...in the race...





THE NEXT DAY:-

PLACE-SIRIUS





WAAH...ISSE HI BOLTE HAIN DIYA TALE ANDHERA...SAARE CLASSES KA S.S.P(SPORTS SELECTION PAPER)SUBMIT KARWA DIYA HAI TUNE PAR APNI HI CLASS KA NAHI KARWAYA...

PATA HAI NAA,AAJ LAST DAY HAI SUBMISSION KA INFACT LAST HOUR...

SAM, EKPREET aur SONU ki practice ke baad hum sab ground ke lushy grass ke beech chill out karne baithe hi the ki tabhi hamare sir par aa dhamke MAANIK PURI SIR...

haath me hamesha ki tarah kisi na kisi activity ki long list thi aur bolte waqt face par frustration...


SAM-sir list ready hai...

MAANIKPURI SIR-toh dene ke liye kaun sa muhurt nikla tha phir...???

SAM-sir mai do baar aaya tha aapke paas par ek baar media interaction me busy the aap aur ek baar ROHAN ke saath tracks evaluation kar rahe the...

isiliye disturb karna theek nahi samjha maine...i thought ki final period ke baad list de dunga mai aapko...

MAANIKPURI SIR-ab toh khud hi aa gaya hun mai...nikaal list..

NITS-kya baat hai sir...nikaal list...bilkul hafta wasooli type dialogue maara hai aapne...

MAI-tu bhi naa NITS...kaam kuch hona nahi,bakwas kariyo bas...

aaj ke baad bas ek din aur bacha hai sports meet ko...woh bhi ab tak ke history ka sabse bada sports meet...

aur puri zimmedari kiske kandhon par hain...sir ke...he is the whole and sole of this event...event kya,school hi bol le....

najaane kitne stress se nikalta hoga sir ka har din...

upar se PRINCI najaane kitne notices par day sir ke through roll off karti hongi...

itne hectic aur chaotic mahoul ko single handedly sambhal rahe hain sir...

abhi jab saamne hain aur toh appreciate karne ke badle,apna sadha hua sense of humor ghusana zaroori hai kya...!!!

NITS ke mazak par pehle hi sir ka chidha hua dimag aur bhadak gaya tha...kamsekam 4 zor ke thappad toh pakka khaane waala tha NITS par mere yun beech me kiye unki taarif ne naa sirf sir ka ghussa shaant kar diya balki saath hi saath woh andar se kaafi khush ho gaye the...

is beech SAM ne bhi turant list saamne kar di thi jisse lekar sir palatne hi waale the par tabhi unki nazar page par likhe list ke first naam par padi...

MAANIKPURI SIR-arre SANVEER...tu bhi participate karne waala hai is baar...!!!

MAI-yes sir...

MAANIKPURI SIR-very good... chinta mat tu...first round me dheele loundo ke saath daalunga mai naam tera...araam se first three me aa jaayega tu...

MAI-thank you sir...

mere kiye gaye taarif ka phal mujhe de smile karte hue palat aage badh gaye sir...

NITS-thanks bhai... bacha liya tune....

RAJAT-true that...mujhe toh laga tha ki saal ke is aakhri din me sir tujhe tere galaon par 4,5 gift chipkaane waale hain...

NITS-aakhri din se yaad aaya...abbe bhosadchodike logon,kal se puch raha hun,aaj raat ka kya jugaad hai...

jugaad hai bhi yaa gharwaalon ke saath tv ke saamne iifa awards dekhte hue gaand tikana padega raat ko...

EKPREET-aree chill lounde...tere bhai ke hote hue T.V ke saamne kaise baith sakta hai tu...

jugaad nahi,jugaad ka baap kiya hai apan ne...ye dekh...

apne bag se kuch passes nikaal hamare beech rakh diya tha EKPREET ne jisse dekh aankhein badi ho gayi thi NITS ki...

NITS-iski MAA ka...ye toh THE PHOENIX CLUB ka new year celebration pass hai be...

par yahan par booking toh last week full ho chuki thi naa...!!!

EKPREET-yup par booking start hote hi 10 passes (per pass 2 individuals) SAM ke ghar pahunch chuke the...

NITS-aur tune bataya bhi nahi ...

SAM-well it's better to show then say...

pichle 15 saalon se DEHRADUN ka best new year celebration party venue tha PHOENIX CLUB...

youth... youngsters ka best jamming venue tha ye club jiski new year celebration party ki booking itni zyada demand me rehti thi ki booking day starts hone ke 48 hours me hi house full waala tag lag jaata tha...

SONU-ppar bhai,ye invites ttoh kkaafi mmehenge honge nna...

RAJAT-abbe toh tujhe kya...??? tujhe kaun se paise dene hain...!!!

SONU-arre aise kkaise...!!!ppayment toh laga hi hoga nnaa...

ttu pper ppaas price bata...afford kkar paayenge,ttoh hi jjaayenge warna mmai,NITS aur SANVY are off...

SAM-chup chutiya...koi payment nahi dena tujhe aur naahi in dono ko...

zaroorat hi nahi hai...hamare resort ke saath tie up hai PHOENIX CLUB ka...unki holi party abse hum organize karenge...

isiliye wahan se free aayin hai ye passes...ab apni khuddari apne pichwade me daal...chalna hai tereko...

NITS-sab jaayenge bhai aur karenge g faad party...guyz,girls ko pata hoga nahi...unhe...

EKPREET-pata hai unhe..

hamare RAJAT majnu bhai sahab ne pehle hi apni laila ke saamne hug diya hai sab...

girls toh yahan se ghar jaane ke baad turant shopping par bhi jaa rahi hain...

NITS-toh apan bhi chalte hain phir ghar...aaj toh ek ek beauty nap toh banta hai...

SAM-beauty nap ki tujhe kya zaroorat hai be...!!! school ki sabse hot girl toh in janab ki g.f hain...

party me sabki nazar in dono par hi rahengi...

SAB-true that...




AT NIGHT...

PLACE-PHOENIX CLUB




BEAUTIFUL...


jaise hi NEW GIRL apni car se utar saamne entrance se club tak bichi red carpet par kadam rakh khadi hui,bas itna hi nikal paaya tha mere mooh se...

mere baaki sabhi friends club ke andar jaa chuke the...

wahin plain pint tshirt ke upar black shining leather jacket,blue denim jeans jiske neeche black leather shoes pehne the maine,club ke bahar ab tak NEW GIRL ka hi wait kar raha tha mai...

waise toh usse pick kar saath aane waala tha mai but schedule me kuch badlav ke kaaran yahin milne ka faisla liya tha humne...

par ab jo saamne thi mere NEW GIRL toh mooh se kuch nikal hi nahi raha tha mere...

ab bhala chaand ko yun saamne khadi ho apni kismat par chamakte dekh kya hi bol paata mai...

sparkling light blue colour me a line bateau neck floor length sequins form dress pehni hui thi NEW GIRL ne...

straps kandhe par nahi balki arms par chipke hue se hote hain is dress ki jiski wajah se seene se upar kandhon se lekar gale ka pura bhaag open hi dikhta hai is dress me...

us open part ko cover karne ke liye khule bhaag ke upar maroon colour me ek shawl type half stripped dress odha sa hua tha NEW GIRL ne...

mujhe saamne dekh ek pyari si smile naach uthi thi uske face par aur uske smile ko dekh bacha kucha chal raha mera dimag bhi blank mode me chala gaya tha...


"ye chaandni raat apne saath kaisa sawal le aayi hai..!!!

upar waale chaand ko dekhen ya neeche apne chand ko nihaaren"...


dimag toh fuse tha par dil pure zor me...isiliye jaise hi NEW GIRL mere saamne pahunch kar ruki,shayri mere dil se hote hue mere honthon se apne aap hi nikal gayi jisse sun sharm aur khushi...

dono hi bhavon ke mishran se bani smile sajh gayi thi NEW GIRL ke face par...


DIMPLE-ache lag rahe ho...

MAI-ab tak ye galathfehmi mujhe bhi thi...

meri indirect gesture ko samajh muskurane ke beech mere baanh me apna haath fasa liya tha NEW GIRL ne jiske baad club ki taraf aage badh gaye hum dono...

NITS-this place is awesome guzzz...ye....ye....ye....ye....

500 bande aur bandiyan moujud the is waqt PHOENIX ke inner aur outer area me... DEHRADUN and MASOORIE ke lagbhagh sabhi rahiszaade aur rahis zaadiyan is waqt indo western music par thirak rahe the aur har group me khudko kuch seconds ke liye ghussa naachte hue NITS aage badhta chala jaa raha tha...

wahin humara group jisme aaj B section ka SATISH bhi shaamil tha,floor ke side egde me khade halke halke thirak rahe the...

WELL,WELL,WELL...LOOK WHO'S HERE...!!!V.I.P FACES OF THE MOST HAPPENING SCHOOL OF DEHRADUN...SIRIUS...

but why so serious guyzzz...!!!hahahaha...

ye NAMITH tha...wahi,bambooza restaurant waala, SAMRAT ka debate king and most importantly,DUSHYANT ka best friend...

DUSHYANT aur apne kuch aur bando ke saath hamare saamne hi music par halke halke thirak raha tha woh...

NITS-chhi...ye kisse dekh liya be...!!!kya yaar,itna smooth mood tha...bigaad diya pura...

NAMITH-thobda bhi bigaad den...

RAJAT-oh betaji... resort me jo hua,uske baad toh gunga hi ho gaya tha tu...

ye zubaan wapas kaise aa gayi teri...!!!???

NAMITH-har kisika din toh aati hi hai...tab tum logon ka tha,aaj hamara hai...

NITS-beta,kisika nahi,kutta lagta hai us point par...aur haan,kutta toh hai tu...

TERI MAA KA...


NITS ki baat par NAMITH ke baaju me khada banda aage badhne ko hua hi tha ki tabhi DUSHYANT ne usse rok liya...

DUSHYANT-mat bhoolon ki abhi tum kahan ho...???ye club SAMRAT ke jurisdiction me hi aata hai...

bas ek phone call aur agle 10 minutes me school ke 100 se zyada bande honge yahan...

socha hai kya haal hoga tum sabka...!!!

MAI-ye le phone...laga le call...10 nahi,20 minutes deta hun...bula le jitne bande bulana hai...

apna phone DUSHYANT ki taraf badha diya tha maine jispar sir shake karte hue has diya woh...


DUSHYANT-kasam se SANVY...tera ye daring attitude...teri akad...i am a big fan of it...saala kisi se nahi darta tu...

par mere bhai,woh saying suni hai naa tu...jo pedh zyada akadte hain,tante hain,sabse pehle wahi kaththe hain...

MAI-carbon dioxide inhale nahi karta mai...pedon aur insaano me fark hota hai...

kuttapana chhod ke ek baar wapas insaani yoni me lout...tujhe bhi fark dikhne lagega aur muhavare bhi on point nikalne shuru ho jaayenge...


DUSHYANT-uske upar ye...teri haazir jawabi...saala haath pair ke saath dimag bhi tez chalta hai tera...har sawal ka jawab ready rehta hai...koi toh loop hole de yaar jisse exploit kar sakun...

anyways, SAM,kaisi chal rahi hai phir sports meet ki taiyari...???

SAM-good...waise agar practice nahi bhi karta mai tab bhi tere school me aisa koi nahi hai jo meri timing ko beat kar sake..

tu bata...mujhe aur DIMPLE ko participate naa karne dene ki dhamki di thi naa tune...kya hua...???no efforts on your warning...!!!

DUSHYANT-arre woh toh flow flow me bol diya tha yaar...tum logon ke saath kuch ulta sidha karne ke consequences pata hai mujhe...

rahi baat teri hamare school ke students se tez hone ki...that's 100 percent true...

track ke leg race me tujhe beat nahi kar sakte hum...you are the champ in it...

SAM-track ke leg race me...itna specific...!!! what's cooking in your mind DUSHYANT...???

DUSHYANT-sharp...nice...31st night hai...the most adventurous night of the year...

kyun naa isse thoda aur adventurous banaya jaaye...how about an unofficial SIRIUS VS SAMRAT bike race...

SAM-bike race...!!!you must be kidding...

DUSHYANT-do i look like kidding...

NAMITH-tune bataya naa ki tujhe track race me hamare school ko koi nahi hara sakta...

theek waise hi DUSHYANT ko tere school se bike race me koi nahi hara sakta...

tera school kya,kisi school ka lounda tik nahi sakta DUSHYANT ke saamne...

NITS-i believe you man...bas ek word miss kar gaya tu...primary...

kisi bhi primary school ka banda naa hara paayega tere chutiye i mean tere dost ko...

hahahaha...


NITS ke taunt par hum sab toh hase hi par hamari hasi ne naa toh NAMITH ke face ki smile chhini aur naahi DUSHYANT ke...

NAMITH-phir toh acha hi hai naa...ek baar aur SAMRAT SIRIUS ke aage ghutne tekega...

so,the race is on then...!!!

SATISH-haan mat bolna SAM...they are trapping you taaki baad me tujhe aur hum sabko humiliate kar saken...

jab baat bike race ki ho toh DUSHYANT i something else...

HELL'S RIDE ke baare me suna hai naa...!!!

SONU-wwoh DEHRADUN aur MASOORIE kke high wway mme organize hone wwali illiggal bbike rrace...

SATISH-haan wahi...usme participate karta hai DUSHYANT...

RAJAT-kuch bhi...koi aur DUSHYANT hoga woh...mai bhi jaanta hun us race ke baare me...

bhale illigal hai par they have a code too...under 18 allow nahi karte us race me...

SATISH-adhar card thodi na maangte hain udhar...

personality dekh iski...underage dikhta hai kya kahin se bhi ye...

araam se 21 saal ka saand lagta hai saala...

ab age limit ki bakwas chhod aur bas itna samajh ki race me, DUSHYANT is a serious deal...

HELL'S RIDE ki har race me 50 se bhi zyada bikers participate karte hain and itni kam age me bhi DUSHYANT top 5 me aata hai...

ab imagine kar le uska talent...bhai SAM...mai bohot respect karta hun teri isiliye sach bata raha hun...

race track ke andar inme se kisi ka bhi koi chance nahi banta tere aage par bike race me tera tikna mushkil hai DUSHYANT ke saamne...

baaki teri marzi...

SATISH ki info me doubt nahi kar sakte the hum...par saamne se mile challenge ko naa bolna, blackout karna,ye bhi haar se kam naa hone waali thi hamare liye...

jab kuch samajh nahi aaya toh meri taraf dekha SAM ne jispar mai kuch bolta ki tabhi...

NAMITH-WHATS UP GUYZZZ...!!!???

club ki stage par chhadh D.J se uski mike le li thi NAMITH ne jiska matlab samajh gaya tha mai...

MAI-shit is going to get real...

NAMITH-sorry for the intervention but i got some news for you...

ek aisi news jo is masaledar 31st ki night ko aur spicy banane waali hai...

ye toh pakka hai ki yahan moujud crowd ka at least 90 percent attendence yahin DEHRADUN ke best educational institutions me se kisi na kisi ka hissa hai...

if yes then give me a hell yeh...

SAB-hell yeh...

NAMITH-awesome...then is baat ki toh surety hi hai ki aap sab hamare city ke interschool champ"SAMEER CHANDER"se waakif hi honge...am i right or am i right...!!!

SAB-yes...

NAMITH-your interschool champ is here tonight... there he is"SAMEER CHANDER"...

NAMITH ne hamare group ki taraf point karte hue apni baat kahi thi jiske agle hi pal ek flash light sidhe aakar padi thi SAM ke upar aur ausa hote hi pure club me shouting hone lagi...

NAMITH-hang on,hang on...this is not a intro speech... actually, ground ki hi tarah aaj SAMEER hum sabko ek baar phir apne talent se entertain karne waala hai...

ek bet lagi hai aaj...there's gonna be a bike race battle between SAMEER and my friend DUSHYANT tonight...

matlab a race between SIRIUS and SAMRAT...

haarne waala jeetne waale ke school ko apne institution se superior accept karega by bowing down to the winner...

so are you all excited for the race...!!!

SAB-yeah...

NAMITH-so let's walk outside and witness the race....

crazy loud pitch se gunj utha tha pura club jiska matlab tha ki ab chaaho ya naa chaho, the race was on...

jahan ek taraf race ki announcement kar NAMITH stage se utar gaya tha wahin dusri taraf DUSHYANT theek SAM ke saamne khada hua aur...

DUSHYANT-KAWASAKI
NINJA ZX-6R me aaya hai naa tu aaj idhar...nice choice... it's a fast bike...

mil phir uspar tika kar apni...all the best for the race...CHAMP...

ek superb confidence ke saath SAM ko taunt maarne ke baad mujhe look dene ke beech mere baaju ke khadi NEW GIRL ko checkout karte hue palath gaya tha DUSHYANT...

ab tak crowd ka ek bada hissa bahar hone waale race ke liye already nikal chuka tha aur baaki on the way the...

EKPREET-bhai, ye race pre-planned hai...saalon ne pehle hi sab soch kar rakha hua tha...

RAJAT-true...hum aa rahe hain yahan, definitely pata tha saalon ko...tujhpar teri entry se hi nazar thi unki...

SONU-jo bbaat ppata hai,usse rrepeat karke kkya faayda...!!!ye ssocho ki ab aage kkarna kya hai...???

MAI-sochne ka option diya hi kya hai usne...sabke saamne race announcement kar di hai...

SAM race karega toh shayad haarega par agar back down kiya toh apni image haar jaayega...

SAM-naa mai apni image haarunga aur naahi race...i am gonna participate and i am gonna bloody win it...

ab baatein bohot ho gayi, let's go outside...

apni baat b aage badh gaya tha SAM jiske piche baaki sab bhi jo liye...

mai bhi apna sir shake karte hue sabke saath chal diya aur ye dekh...

DIMPLE-you don't think ki SAM race jeet sakta hai...!!!

MAI-kitne distance se haarega,ye dekhna hai mujhe...

NITS-benhenchod...identical...ye sab pakka pre-planned hai lauda...

hum sab club ke bahar SAM joki apni bike lekar aa chuka tha,uske ird gird khade hi the ki tabhi apni bike par aaya DUSHYANT aur SAM ke baaju me khada ho gaya...

par surprising baat ye thi ki uski ride bhi SAM waali hi thi...KAWASAKI
NINJA ZX-6R...

DUSHYANT-now that's what i called destiny...

hamari bikes ka same hona,ishara karta hai ki ye race toh honi hi thi...

ab r.p.m ya c.c difference se speed me fluctuation waala angle hi nahi hai...it's gonna bhi authentic...

SAM ko wink karne ke baad apni helmet pehen li thi DUSHYANT ne...

ANJALI-all the best SAM...

ANI ke baad hum sabne bhi wish kiya tha SAM ko...

NITS-abbe race ke parameters toh batao...kahan se kahan tak...

NAMITH-race zyada lambi nahi hai... it's gonna be a full SAMRAT circle...

globe chowk toh pata hi hai naa...

SAMRAT ke building radar ke aage waala chowk...wahan se straight left lekar tum dono aage badhoge...

aage jis chowk par SAMRAT ka hoarding laga hoga,turn left from there...same goes for the third round and then straight back here...

total 6 kms ka ride hai ye race... won't tak long...at least not for DUSHYANT...

now...we your permission...let's start the race...

VROOMMM...VROOMMM...

YEEEE........

DUSHYANT aur SAM...dono ne hi apni apni bikes ki ignition on kar di thi jiske baad pura crowd zoron se hooting karne laga tha...

is beech DUSHYANT ke group se hi ek hot bandi aakar khadi hui dono bikes ke beech aur...

GIRL-SAMRAT...SIRIUS...GO...

ladki ke GO bolte hi dono hi ninja ek jhatke ke saath aage badh chuki thi...

six manual transmission,128.2bjp max power ke saath 636 c.c ki engine capacity waali bike the ninja ZX 6-R...

0 to 100 km 3.23 seconds me pahunch jaati thi ye light ye movement light weight machine aur yahi wajah thi ki kaafi kam time me dono hi bikes hamari aankhon se ojhal ho chuki thi...

EKPREET-kya lagta hai guyzzz...race nikaal lega SAM!!!

NITS-main sawal tob ye hai ki race puri kar bhi paayenge dono ya nahi...

31st hai aaj...har jagah patrolling khatarnaak hoti aaj...

RAJAT-yup par ye jagah count nahi hota...

PHOENIX hai ye...sabko pata hai ki city ke mostly rich aur influencing people ke bacche party karte hain aaj yahan...

isiliye SAMRAT fencing ke aas paas tak koi patrolling nahi hoti...

DIMPLE-roads toh smooth hai...it won't take long...

YOOOOOOOO......

NAISHA-their they come...

kuch minutes beete hi the ki hume apne right ki taraf kaafi door se dono hi bikes aate dikhe...

bikes ko dekh howling aur shouting ek baar phir tez ho chuki thi...

RASHI-samajh nahi aa raha... who's leading...!!!

MAI-its DUSHYANT...

KHANAK-how do you know...??? bikes aur unkw colour tak ek hi hain...

MAI-helmet toh alag hain...

NITS-abbe chill...200 metres door hain woh dono aur tujhe phir bhi helmets ke colour dikh rahe hain...

woh bhi street lights me...

jawab se nahi paaya mai aur reason tha...

CHHIIINNNNNNN...

hume cross karte hue ek behetarin stoppie(back wheels up)maarte hue apni bike roki thi DUSHYANT ne...

damn,he is really good...

uske just piche tha SAM...zyada antar se nahi haara tha woh par haar toh haar hi hoti hai...

YEEEEE......BOOOO......

crowd do hisso me bath gaya tha...ek taraf the woh log jo DUSHYANT ko ghere usse uski jeet ke kiye congratulate karte hue hooting kar rahe the aur dusri taraf the woh bande jo SAM ko thumbs down kar boo kar rahe the...

wahin SAM sir jhukaye hamare paas aakar khada ho chuka tha jispar NITS usse taana dene hi waala tha par maine mana kar diya...

NAMITH-give me the beat guyz...

dhupdhuphakkadhupdhuphakkk...



ye perfect revenge ki RAAT hai...

kismat bhi hamare SAATH hai...

lag gayi tumhari VAAT hai...

par yahi toh tumhari AUKAAD hai...


chalo beta,papa ke saamne bow down karo and say...SAMRAT is better than SIRIUS...

jahan ek taraf haste hue hamare saamne aakar khada ho gaya tha DUSHYANT wahin NAMITH ki baat sun mujhe dekhne ke beech mooh chota sa ho gaya tha SAM ka...

SIRIUS ka champ tha woh..aisi embarrassing moment bhi kabhi aayegi uski life me,socha naa tha usne...

BOW DOWN...BOW DOWN...BOW DOWN...

khair, crowd ki shouting sun kandhe jhuka khud ko jhukane ke liye apne aap ko mentally prepare karne ke beech SAM muda DUSHYANT ki taraf...

ghutne kaamp se rahe the uske jinhe control kar unhe bend karne laga tha woh...


DIMPLE-how about a double or nothing...

NEW GIRL ki baat sun DUSHYANT aur baaki sabki nazar bhi uspar tik gayi thi...

DUSHYANT-matlab...!!!

DIMPLE-ek aur race hogi...tere aur mere beech...agar tu jeet gaya toh SAM ke saath hum sab tere saamne jhukenge...agar mai jeeti toh zyada kuch nahi...

maamla wahin khatm...

DIMPLE ki baat sun DUSHYANT ke kaan me kuch kehne laga tha NAMITH jispar...

MAI-dekh rahe jo guyzzz...SIRIUS ke champ ko harane ke baad ek ladki se race karne ke liye dar raha hai ye...

DUSHYANT-ghanta...teri bandi se race karne ke liye darunga mai... itni hi chul hai toh same conditions me tu kar le race...

waise bhi har baar iske rescue ke liye tu hi toh aata hai naa...dekhen,aaj bhi bacha pata hai ya nahi...

MAI-idea toh yahi tha beta par ab jab isne tujhe challenge kar diya hai toh race yahi karegi...

haan,hissa mai bhi rahunga is race ka...i will sit behind her...

NAMITH-what...!!!socha na tha ye din bhi dekhunga... SANVEER AHARYA jaise banda jiske rag rag me mardangi doudti hai,ek ladki ke piche baithega...

DIMPLE-gentleman shabd aise hi attitude se nikla tha...

but i can understand ki tere jaisa chhilta samajh bhi nahi sakta...

rahi baat mardangi ki toh jinhe apni mardangi par shakh hota hai naa, wahi hamesha ladki ko apne piche rakhte hain,khud willingly unke piche nahi baiththe...

ab baaton ko hi doudana hai ya phir tera dost bike bhi doudayega...

DUSHYANT-you are on...

DIMPLE-sorry guyzzz...tum sabse bina puche sharth laga liya maine...

hooting aur shouting ek baar phir zoron par thi aur is baar toh kuch zyada hi loud thi...

is beech NEW GIRL baaki group ke saamne pahunchi thi...

RASHI-are you nuts...acha hi kiya tune...SAM akela kyun jhuke...jhukne ki noubat aayi toh sab saath hi jhuk jaayenge...

KHANAK-par i am sure ki aisi noubat aayegi nahi...

DIMPLE-and why do you say that...???

KHANAK-kyunki agar tu capable nahi hoti toh SANVY tujhe beech me hi rol deta...

par woh toh saath baithne waala hai tere...it means he trusts you and we trust him...

NITS-race ki chinta toh nahi hai but thand ki toh hai...thand bohot hai aur is kapde me tere haath aur baaki ki body bhi akad jaani hai...

MAI-that wont be a problem...

apni bomber jacket NEW GIRL ko pehanane laga tha mai jispar smile naach uthi thi uske face par...

RASHI-haaye... aise tense situation me bhi romantic hona nahi chhodta yaar tu...

MAI-what about your dress...??? bike par...

DIMPLE-streachable hai...it won't be a problem...

SONU-aur hhelmet...ttere size kki nahi hai...

DIMPLE-i wont be needing it...

NAISHA-hey where's SAM...???

SAM nadard tha scene se...

ANJALI-woh club ke andar chala gaya...let him be...jo hua uske baad he needs some time alone...

DUSHYANT-chalen yaa haar ke dar se mind change kar liya...

DIMPLE-save it shit head...warna baad me sir chuppane ke liye taklif hogi...

SAM ki bike par baith chuki thi NEW GIRL jiske baad mai bhi hop on ho gaya back seat par...

hamare marks par aate hi wahi SAMRAT ki bandi dono bikes ke beech aayi aur...

SAMRAT...SIRIUS...GO...

GO bolte hi ek baar phir dono bikes badi jaldi sabki nazaron se ojhal ho chuki thi...

damn,this girl is good....

globe chowk aane hi waala tha aur ab tak hamari bike DUSHYANT ki bike ke saath parallel chal rahi thi...

par aise curved races me natija half turns hi karti hain jo abhi dono hi bikes lene hi waale the...

turn me abhi 150 metres baaki the aur isiliye half round cut smoothly ho, isiliye gear 4th me shift karne ke beech accelerator halka kam karne lagi thi NEW GIRL par tabhi uske kaan ke paas pahunch thodi zor se cheekha mai...


MAI-shift to third gear... speed extra kam karne ka bajaye pressure back tyre par zyada kar do...

meri raay par turant amal kiya tha NEW GIRL ne jiska natija jo nikla,usne ek badi si smile laa di thi uske face par...

complete turn ke baad hamari bike 2 se 3 metre aage jo nikal chuki thi DUSHYANT ki bike se...

aur same chiz baaki ke dono turns me bhi hua...turnings me speed hamari bike ki DUSHYANT se zyada hi rahi aur yahi wajah thi ki last straight ride me hum usse lagbhagh 10 metres aage nikal chuke the...

speed barkarar rakhne ke beech sir halka piche tilt kar apna middle finger DUSHYANT ki taraf point kiya tha NEW GIRL ne...

NITS-woh maara paapad waale ko...


race khatm ho chuki thi aur is baar baari thi NEW GIRL ke stoppie ki jisse apply kar apni bike roki thi usne...

hooting and booing ek baar phir zoron par the but is baar dono ke hi receiving ends change ho chuke the...

hamare liye hooting ho rahi thi aur DUSHYANT ke liye booing...


NITS-give me the beat guyz...

dhupdhuphakkadhupdhuphakkk...



socha kaisa tune ki hum tumhe SAHENGE...

nadi hain hum,apni dhun me BAHENGE...

hoga end me wahi jo hum tumse KAHENGE...

baap hain tumhare hum,baap hi RAHENGE...

DUSHYANT apne group ke paas jaa chuka tha ki tabhi NITS ke gaya apna rap jisse sun waise toh uske,NAMITH aur unke sabhi friends ke faces dull the par i felt ki ye dullness genuine nahi thi...

there was a feeling of satisfaction in there faces jo chhupi nahi thi mujhse...

kuch seconds lage,lekin phir kuch strike hua mere face par jiske baad mere jabde sakhti se bheechte chale gaye...


SATISH-guyzzz...guyzzz...

MAI-SAM is in trouble...

SAB-WHAT...!!!???


kuch bolta mai ki tabhi SATISH doudta hua aaya hamare paas...

honth ke right side fata hua tha uska...

anyways,jo bolne waala tha woh,maine bol diya jisse sun SATISH ke saath saath baaki sab bhi shock ho gaye...

SATISH-tujhe kaise pata...???

MAI-tu pehle real scene bata...

SATISH-SAM club ke andar nahi tha...club ka jo back gate hai, wahan bane garden me baitha tha woh...

i saw him aur uske paas jaa raha tha mai ki tabhi bohot se bandon ne gher liya usse...

he fought back but zyada the woh sab...

kuch smell karaya unhone SAM ko jiske baad he fainted.... meanwhile,unhe utha kar le gaye woh...

mai bhaga unki taraf par unme se ek ne hit kiya mujhe and i got blacked out...

jab tak sambhla,they had taken SAM...

ab bata,tujhe kaise pata chala...???

MAI-sahi tha NITS tu...it was all pre-planned...race me SAM ko harana, maksad nahi tha in SAMRAT waalon ka...

usse utha lena,that was their plan all along...jaante the ye ki agar SAM haar gaya toh hamesha ki tarah avenge karne ke liye mai maidan me koodunga...

NITS-aur hum sabka bhi dhyan tere waale race par hoga...is beech SAM apni haar par embarrassing state of mind me hoga...

upar se ye bheed...hum me se kisi ka bhi dhyan uspar nahi hoga aur isiliye usse uthana aur easy ban jaayega...

SONU-aur SAM kka haarne kke baad yahan sse akele mme ttime kkarne cchale jjaana,ye ttoh unkke lliye icing on tthe cake bban gaya...

ssaala...mmaster stroke...

DUSHYANT-congrats guyzzz...i agree,you and your school are the best...

hum sab baat kar hi rahe the ki tabhi DUSHYANT aaya hamare paas...

uske face par haar se hone waali taklif ke koi bhaav nahi the... infact,be looked satisfied jisse dekh EKPREET ki satak gayi...

EKPREET-behenchod...bata SAM kahan hain...mazak lagta hai ye sab loude...saale tere pure khaandan ki maa chod dunga mai...

DUSHYANT ka color pakad liya tha EKPREET ne jispar uske dost bhi hamari taraf badhe par DUSHYANT ne ishare se rom diya tha sabko...


DUSHYANT-toh pata chal gaya tumhe...kaise nahi chalta, the great SANVEER AHARYA se bhala kuch zyada der tak chhup sakta hai kya...!!!

par afsos,aaj pehli baar figure out karne me der kar di tune...chidiya toh chug gayi khet...

aur bhai tu color chhod de...bhul gaya hai kya, kahan khada hai tu...???

hamara area hai ye,ek call gayi toh phir kabhi theek se khada nahi ho paayega tu...

NITS-abbe chutiye mazak lag raha hai kya tereko... jaanta hai kya kiya hai tum logon ne...

SMRITI CHANDER ka beta hai SAM...maiya chod degi tumhari woh...

DUSHYANT-kis base par...!!! kya proof hai ki humne uthaya hai SAM ko..???

jab ye hua,hum toh yahin the...gawah itne saare log hai...

arre inhe chhod,tum sab bhi toh ho...jhhut thodi naa bol sakte ho...

bola tha naa SANVY...is baar SIRIUS par har event jeetne waale champ ka tag nahi lagega...

I fulfilled my promise...

MAI-you played well...i will give you that par tu bhool raha hai ki event shuru hone me abhi 2 din hain...

DUSHYANT-actually ek din...its already past 12...

tum log zyada se zyada SAM ki missing report likhwa sakte ho par woh bhi 24 hours pure hone ke baad hi aur utna waqt hi toh hume chahiye...

isiliye mera advice hai ki don't bother...kyunki ek baar parso ka main event pura ho jaaye,uske baad SAM khud hi apne ghar pahunch jaayega...

RAJAT-aur uske baad... socha hai ki jab SAM khud tum sab par usse kidnap karne ka complaint karega toh tum sabke future ka kya hoga...???!!!

DUSHYANT-kya yaar...ek hi baat, baar baar...yaar SANVY, wakayi,tu nahi hota toh kya hota tere group ka...

abbe,kis base par ilzaam lagayega SAM hum par...naa toh hum uske kidnapping ke waqt uske saamne the aur naahi aage uske saamne directly jaane waale hain...

zyada se zyada,jahan se uski kidnapping hui,us garden waale area ke baare me bata sakta hai woh and for your kind information,woh jagah,c c.t.v orientated nahi hai...

bottom line, nothing can prove ki hum SAM ko uthwaane ke piche the toh ab,us baat ko drop karo aur ye batao ki abhi karna kya hai...???

bhidna hai humse...but mind you ki bhale hi woh back garden c.c.t.v orientated nahi tha but ye jagah hai...

haath pehle tum sab ne chhoda tha,iski official complaint hum karenge hi aur bach paaoge nahi tum...

chaho toh try karke dekh lo...


haath khol apne surrender waali position me khada ho gaya tha DUSHYANT jiske baad bhi jab hum usse bas ghurte hi rahe toh haste hue haath neeche kar woh theek mere saamne aakar khada ho gaya...


DUSHYANT-SANVY,SANVYSANVY...pata hai,SAM ko uthwane se se aur apne plan ko successful hota dekhne se zyada satisfaction mujhe tujhe yun lachaar khada dekhne me aa raha hai...

tu kabse itna bechara ho gaya yaar...

DIMPLE-you...


DUSHYANT ko maarne ke liye aage badhi hi thi NEW GIRL par rok liya maine usse jispar ek baar phir has diya DUSHYANT...


DUSHYANT-oh i am loving it...kash ye pal kabhi khatm hi naa ho...by the way happy new year guyzzz...

mere chest par halke haathon se punch kar hume wish karne ke baad apne doston ke saath palath gaya tha DUSHYANT...

MAI-DUSHYANT...i will find SAM...in time...

meri baat sun rook palta DUSHYANT aur...


DUSHYANT-in time...!!!i doubt that... accept kar le yaar...is baar haar gaya tu...

ek baat aur...jeetne ke baad hamesha last lines bolta aaya hai tu par ab jo tu haar gaya hai,let be do the honour...




jo dikh hi nahi raha,tod kaise nikaalega tu aise WAAR KA...

soodh,byaaj sab chuka diya humne aaj tere diye har UDHAAR KA...

andar tune bola tha naa ki muhavare GALATH bolta hun mai...

abki baar sahi sun,SOU SUNAAR KA,TOH EK LOHAAR KA...









AAJ KE LIYE ITNA HI...





AAPKA APNA V...J...
 
Member
182
254
43
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF SANVY KA PAIR THEEK HO JAATA HAI WAHIN DUSRI TARAF DUSHYANT AND FRIENDS SAM KA KIDNAP KARWA DETE HAIN.

AB AAGE:-


CHAPTER 1

(ETIOLOGY OF BEING GALATH)


MEGA UPDATE-84

DATE-1ST JANUARY


CITY-DEHRADUN

PLACE-SAHASTRADHARA ROAD,DUMPIMG GARAGE (TIME-3 AM)






DUDE...ABHI BHI SOCH LE...THIS PLAN CAN BACKFIRE... SAMEER KA BACKGROUND BOHOT HI STRONG HAI...


DEHRADUN jaise chilling area par,woh bhi sardi ki raat me bhi sir par aaye pasine ko ponchte hue NAMITH ne apni baat rakhi thi DUSHYANT se...


DUSHYANT-toh hum bhuke nange ghar se hain kya be...!!!???

itna toh influence apne gharwaalon ka bhi hai hi ki kuch nahi hoga hume...

waisa hona toh ab bhi kuch hai nahi...24 ghanton ki baat hai...kal event pura hone ke baad SAM ko uske ghar ke bahar baa izzat drop kar denge apan...

NAMITH-toh bhai,abhi uske saamne kyun jaa rahe hain hum...!!!???

hume dekh liya toh directly blame kar sakta hai woh humpar...

DUSHYANT-on what grounds...!!!???club ke baad apne apne ghar pehle isiliye hi gaye the hum taaki apne bachav ke liye proof ready rakh saken...

ab gharwaalon se better proof kaun hoga...!!!

unke sone ke baad hi ghar se nikle hain hum aur woh bhi back gate jump karke aur unke uthne se pehle we will be back home...

SAM ne agar official complaint ki bhi toh bhi kuch proof kar hi nahi paayega...

isiliye chill kar...yaar, SANVY ka sukha thobda toh dekh liya ab SAM se bhi ek baar milna toh banta hai naa...

NAMITH-ye bhi hai...aur apne bandon ko bhi off dete hain ab...

waise bhi yahan se aage un sabki zaroorat toh padni hai nahi...

DUSHYANT-true...and hope ki free time me SAM par apni khunnas naa nikali ho unhone...

expelled students hi sahi,hai toh sabhi apne school ke hi...SIRIUS ke champ par zyada time tak rehem kar nahi paayenge woh...

kahin ab tak haath na chhod diya ho sabne...

NAMITH-haan,bhai,jaldi chal...

ek bohot hi bada band garage type building tha jiski taraf badh chale the NAMITH aur DUSHYANT...





PLACE-SANEEL'S RESIDENCE

TIME-6 AM...





THAKKK...THAKKK...THAKKK...THAKKK...THAKKK...THAKKK...


pichle aadhe ghante se apna saara ghussa frustration saamne rakhe WOODEN DUMMY par nonstop nikaal raha tha mai...

shirt less tha mai aur continuous martial art strikes ki wajah se paseene me lathpath ho chuka tha...

sansein bhi bhaari ho chuki thi meri par hitting speed me thodi bhi kami nahi aayi thi...


IN BEJAAN LAKDIYON PAR WAAR SE SUKOON NAHI MILEGA TUJHE...


MAA thi ye jinki baat sun haath mere agle pal hi rook chuke the...

unki taraf ghuma mai...joggers me khadi thi is waqt MAA aur chehre lar unke abhi bhi wahi shaanti jo hamesha rehti thi...

jisse dekh mera bechain man bhi shaant ho jaaya karta tha par aaj ki bechaini alag thi...

bohot alag...iska shaant hona mushkil tha...hadh se zyada mushkil par jab tak mai andar se shaant nahi ho jaata,aage badh nahi sakta tha...

MAA jaanti thi in saari baaton ko aur isiliye hi is waqt woh mere saamne khadi thi...


MAA-chalo...dekhen zara,MASTER VAJRA BODHI se sikhi kala(THE EIGHTEENT HANDS OF BUDDHA) kitna master kar paaya hai tu...!!!

MAI-not now MAA...not in the mood...

MAA-dawayi mood ke hisaab se nahi,tabiyat ke hisaab se li jaati hai...

so now is the perfect time... common,show me what you got...!!!


MAA manane waali thi nahi isiliye lambi saanson ke beech unke theek saamne pahunch gaya mai aur agle hi pal...

THATTTT...

THRUST PUNCH...EIGHTEEN HANDS ka paanchwa technique use karte hue apni mutthi vibrating speed se aage chala di thi maine jisse MAA ne haath jhatakte hue aise block kiya jaise makkhi uda rahi hon woh...

MAA-ye kya tha...???aise baby punches maarkar apne guru ka apmaan nahi karna chahiye tumhe SANVY...

common,hit like the MAN you are...

THATTT...THATTTT...THATTTT...THATTT....THATTTT...THATTTT....THATTTT....

MAA ki baat puri hui hi thi ki ek baar phirse mera THRUST PUNCH unki taraf badh chuka tha...

is baar,double impact ke saath par natija is baar bhi last time jaisa hi hua...

MAA ne badi asaani se mera haath jhatak diya tha lekin is baar ruka nahi mai...

ek baad ek kayi thrust punches maarta chala gaya mai...har punch last waale se tez aur zyada impactful tha par unme se ek bhi MAA ke defense ko bhedh nahi paaya...

bohot ho sade hue andaz se apni body ko halka swing sa karte hue woh mere har punch ko block karti chali gayi thi aur aakhir me...

CHATTTT...

MAA-my turn...

THATTTHHHH...

mere punch ko block karne ke saath apne dono haath jinhe kainchi ki shakal de mere wrist ko fasa sa liya tha unhone...

fasane ke agle bi pal unhe jhatka de mere us wrist ko right ki taraf fekh sa diya MAA ne aur theek ussi pal unka ek near perfect THRUST PUNCH mere chest ki taraf badi tezi se aaya par mai bhi ready tha is sudden hit ke liye...

apne left hand ko neeche se upar jhatka tha maine jo sidhe takraya MAA ke wrist se jisse unka hand bhi numb sa padh gaya...

MAA-good...par block speed aur zyada hona chahiye tha...

ab hona hoga...

THATTT... THATTTT...THATTTT...THATTTT....THATTTT...

dhakkk...

ek ke baad ek lagatar 20 THRUST PUNCH ghumaya tha MAA ne jinki speed mere punches se 5 times zyada tez the...

infact 19th aur 20th punch toh itna zyada tez tha ki bohot mushkil ee dikh paaya tha mujhe...

19th punch kokisi tarah block kar liya tha maine...infact 20th ko bhi last nano seconds pehle apne chest se 2 cm pehle rok liya tha maine par tabhi...

THRUST PUNCH se jo vibrations wrist me hote hain,unka impact rukne ke baad bhi 1 second tak rehta hai aur ussi ek second ka faayda MAA ne utha liya...

apne block fist ko ek jhatke se khola unhone jiske baad unke chaar fingers kisi sharp knife ki tarah mere chest par lage...

naa khoon nikla naahi koi kharoch aayi par chest ke jis point par MAA ke fingers ne hit kiya tha,wahan pain ki wk aisi tez sensation feel hui mujhe ki puri body hi jhanjhana uthi meri...

MAA ke haath ko jhatak tezi se piche hote hue apne chest par haath rakh wahan masalne laga tha mai aur ye dekh smile naach uthi thi MAA ke face par...

MAA-shayad GALATH thi mai...you are a baby after all...

seene ke bahar ka dard tak bardasht nahi ho raha tujhse toh uske andar ka dard khaakh jhel paayege tu...

SWOOOHHH....THAKKK....THAKKK....THAKKK....THAKKK....THAKKK...

MAA ke vyang ka jawab mooh se nahi diya maine...unki baat puri hote hi body me aage unke taraf spin si hoti chali gayi...

EIGHTEEN HANDS ki MERRY GO ROUND TECHNIQUE thi ye jisme ghumte hue apne saare sharir ki taakat ko apne dono kandon me transfer kiya jaata hai...

is technique me sade hue andaz me rotation lene ke baawjud ghumne ki speed itni zyada hoti hai ki bhale dikhe naa,par aas paas paida ho rahi intensity feel ki jaa sakti hai...

MAAne bhi feel kiya tha aur isiliye woh jaan chuki thi ki mai kaun si technique use kar raha hun...

unhe mere agle daaw me use hone waali technique ka bhi andaza tha aur isiliye MAA ke dono legs ne zameen par dabaw sa daale hue extra pressure banana shuru kar diya tha...

is beech mai unke paas pahunch chuka tha aur isiliye...

PLUCKING STARS...apne fist ko pout ki shakal dete hue kisi saanp ki tarah unhe aage ki taraf jhatka sa dena shuru kiya maine...

is attack ko block nahi dodge kiya jaata hai aur woh isiliye kyunki is move me ungliyon jis hisaab se jhatki jaati hai,woh unhe rokne waali chiz ko bhi pierce karne ka dum rakhti hain...

yahi wajah thi ki MAA bhi kisi snake ki movement le khud ko badi speed se left aur right ki taraf ghuma mere fingers ke piche waale part par halki halki hit karti chali jaa rahi thi...

par jab dekha unhone ki meri speed kam hone ki jagah badhti jaa rahi hai toh agle hi pal...

DANCING CRANE... EIGHTEEN HANDS ka woh technique jisme attacker ke niche apne dono haathon ko kisi shield ka aakar dekar jaaya jaata hai...

issi technique ke use ke saath MAA mere haathon ke neeche pahunch gayi thi... within fraction of a second ke andar kiya tha unhone ye kaam jisse counter karne ke liye...

DRAWING KNIFE technique ko use me laate hue apne ek haath ko completely niche bend kiya maine aur dusre haath knife shaped hand ke elbow ko hold kar niche ek tez jhatka diya...

ek aisa move jisse solid chizon me bhi crack paida kiya jaa sakta hai...

koi aur hota toh uske hands ko dodge dete hue mere fingers neeche waale bande ke skull ko damage kar chuke hote par neeche koi aur nahi MAA thi...

VERONICA PAUL AHARYA...

PUSHING MOUNTAINS...

eighteen hands ke 14th technique ko turant use me laate hue khud ki body ko uplift kiya MAA ne...

par ye uplift straight up nahi balki side up tha...

yahi reason tha ki mera DRAWING KNIFE technique half way hi stuck ho gaya...

maa ne apne shoulders se mere elbow edge ko hit kiya tha jiski wajah se meri hand grip dheeli padh gayi...

aisa hote hi MAA ne mere dono haathon ko badi mazbooti se pakad liya aur...


MAA-ready for a SPIN SWEETHEART...

BIG WINDMILL...is technique ko innovate sa kiya tha MAA ne...

mere dono haathon ko pakde pakde khudko piche ki taraf flip sa kiya unhone aur hawa me hi roll on ho gayi woh...

aur unki tight grip ki wajah se mai bhi aage ki taraf hawa me 360 ke teen rounds ghoom gaya...

DHAKKK....

agle hi pal mai aur MAA dono zamin par the lekin ek fark tha...

MAA apne pairon par land hui thi aur mai neeche gira pada tha...

par girne ke agle pal hi mai ghuma,maari ek tez back flip and then,i was back in my feet...

woh bhi combat position me aur ye dekh MAA ke face par ek badi si smile aa gayi thi...

MAA-now that's my boy... koi kitna bhi gira de,wapas uthne aur ladhne ke liye hamesha taiyar...

kabhi khudko bhulne mat dena apni ye aadat...


MAI-i won't...

MAA-now go and do what's need to be done...


sir haan me hilate hue palath gaya mai...

sidhe apna room me gaya mai aur apne P.C ko on kar kar uske saamne baith gaya...

kuch der tak mera dimag aur ungliyan badi tezi se chalne lagi thi aur phir ek final click karte hue mere face par smile naach uthi thi...

MAI- gotcha...

paas me rakhe apne mobile ko uthaya maine aur msg app par apne group me tezi se chalne lagi meri ungliyan...

GOT AN IDEA... AADHE GHANTE ME JOGGERS PARK...






PLACE-JOGGERS PARK

6.30 AM:-





KYA IDEA HAI BHAI...!!!???


sharp 6.30 ko pahunch chuka tha mai park jahan NITS aur SONU ko chhod baaki sabhi bande bandiyan pehle hi moujud the...

EKPREET ke sawal ke beech NEW GIRL aur woh sabhi mere paas pahunch chuke the...


MAI-PAWANDEEP aur AZMAD yaad hai???

RAJAT-ye kaun hain...???

EKPREET-woh SAMRAT ke students..

MAI-aur DUSHYANT ke jigri...

DIMPLE-hang on... mujhe bhi fill in karoge...

RASHI-hume bhi...

EKPREET-PAWANDEEP aur AZMAD...NAMITH ki tarah DUSHYANT ke besties the dono...i think ab bhi honge par not sure kyunki uske saath me bohot kam dikhte hain woh...

MAI-woh isiliye kyunki school se expel ho chuke hain woh dono...

EKPREET-all thanks to you...saale bohot zyada garam khopdi ke the dono...


football match tha hamare aur SAMRAT ke beech woh bhi unhike school ground me...

us match ke first half me hi 3.0 ki lead le li thi hamare school ne...

teeno goals SAM ne maare the...

upar se hamare school ke saare students...chhol chhol ke SAMRAT ke saare students ki sulga thi unhone...


ANJALI-aur sabse zyada un dono ki...PAWANDEEP aur AZMAD...

complete idiot the dono...plan kiya un dono ne ki jaise humne unke school premises me ground ke andar aur bahar, dono jagah hi humiliate kiya tha un sabko,theek waise hi hamare premises ke aas paas humse bhid hume humiliate karenge dono...

RAJAT-precisely SAM se...chutti ke baad SAM mil bhi gaya tha unhe par saath me unke ye mahashay bhi the...

khub pela tha un dono ko isne...upar se c.c.t.v me footage bhi store ho chuki thi isiliye un dono ke khilaaf PRINCI ne SAMRAT ke princi ko official complaint bhi kar di thi...

result...PAWANDEEP aur AZMAD dono hi resticate ho gaye the..

ye thi past aur un dono ki detail...par yaar,abhi unka zikr kyun kar raha hai tu...???

DIMPLE-obvio...SAM ki kidnapping me un dono ka bhi haath hoga...

MAI-right...aur hoga nahi,hai... definitely hai...kyunki bas woh do hi aise hain jo SAM par yun haath daalne ke liye ready ho sakte hain...

jinhe consequences ka zyada dar nahi hai...

EKPREET-yaan yaar...ye ho sakta hai...par sawal toh ye hai naa ki SAM hoga kahan...???

MAI-ye koi high-profile serious kidnapping toh hai nahi...SAM ko apne paas bas aaj bhar ke liye rakha hai unhone woh bhi bina usse harm kiye...

DIMPLE-how can you say,bina harm kiye... abhi tumne bola naa ki woh dono SAM ko maarne ke chakkar me hi expel hue the..

agar wakayi unhone hi SAM ko kidnap kiya hoga toh usse hurt karne ka isse better mouka unhe phir milna hai waala hai nahi...

MAI-SAM ke face ya body par hitting marks unke liye taklif paida kar sakte hain...secondly, NAMITH aur DUSHYANT bhale hi openly SAM ke saamne jaa sakte hain,as they have there backup,par same liberty PAWANDEEP, AZMAD ya jisne bhi rakha hai SAM ko,unke paas nahi hai...

agar SAM unke saamne hai then yaa toh apne faces hide kiye honge unhone yaa phir uske face ko dhakk kar rakha hoga...

now for the main question,kahan rakha hoga unhone SAM ko...

this is the 75th percent mark...

apne mobile ko aage kar diya tha maine jispar p.c par mere kiye gaye kaam ki copy thi...

RASHI-ye kiske visuals dikha raha hai...???

mobile me ek road thi jo do bhaago me divided screens me chal rahi thi...

ek screen toh khaali thi par dusre se ek M.P.V badi tezi se paas hui thi aur aisa hote hi screen par ek click sa hua aur agle hi pal wahan dusra road dikhne laga tha jispar bhi wahi car paas through ho rahi thi...

baaki kisiko bhi kuch samajh nahi aa raha tha par NEW GIRL ki aankhein sochne waale andaz me choti hoti chali gayi thi aur is beech jaise hi uski nazar screen ke upper left me dikh rahe time par gayi toh suddenly aankhein uski ek jhatke me badi ho gayi...

NEW GIRL-no fucking way...tumne traffic cams ke c.c.t.v ko hike kiya...

aur ye,ye car wahi hai kya jisme SAMRAT waalon ne SAM ko uthaya tha...


NEW GIRL ki baat sun baaki sab bhi shocked hote hue meri taraf dekhne lage the...

wahin NEW GIRL ka assumption joki bikul sach tha,sun sir shake kar haan me sir hilaya maine...

RASHI-who are you man...kya aisa kuch hai jo nahi kar sakta tu...!!!

KHANAK-seriously SANVY...tune government traffic cams ko hack kiya... it's like an i.t professional stuff...

MAI-maine nahi kiya...mere pehchaan ka banda hai ek...ghar ke paas hi rehta hai...he is very good with computers...ussi ki help li hai...

ab woh sab chhodo aur dekho dekho dhyan se...

this... this is the last c.c.t.v orientated place jahan se car moodi thi...

EKPREET-yeh toh M.G chowk hai...fas gaye behen ke jane..yahan se sidhe N.H hi nikalta hai...baaki side ways lene ka matlab hoga nahi kyunki us taraf chote mote party venues ki bharmaar hai...

patrolling bohot zyada thi kal raat wahan...

RAJAT-haan par M.G chowk se N.H ka distance bhi lagbhagh 10 kms ka hai...is beech kahin bhi chuppa sakte hain woh log SAM ko...

MAI-isiliye hi toh 75 percent kaha tha maine...

DIMPLE-joki bohot hai...us pure 10 kms ka door to door knock bhi agar karen hum toh bhi raat tak positive result mil hi jaayega...

MAI-uski zaroorat nahi padegi...ghar khaali bhi ho tab bhi kisike ghar me SAM ko rakhne ka risk nahi lenge woh log...

kyunki unhone itna toh ganith lagaya hi hoga ki SAMRAT ke sabhi chutiyon ke thikaano ka kaccha chittha hum nikaalenge...

isiliye kisi band ya kam chahal pehel waali jagah par le jaayenge woh SAM ko...

us pure 10 kms ki area me 3 hi aisi deserted buildings hain...

ek ki taraf SONU aur NITS nikal bhi chuke hain...

RAJAT-really...isiliye nahi aaye woh dono...mai toh saalon dikhte hi bakne ka soch raha tha...

DIMPLE-waise gaye kis spot me hain dono...???aur agar ussi spot me SAM hua toh unpar khatra nahi hoga...!!!

SAMRAT guys will recognize them...

MAI-kuch nahi hoga...sirf checkout karne ke liye hi bola hai woh bhi safe distance aur marking se...

VITOBHA CINEMA HALL...band talkies hai with no security...wahin gaye hain dono...

uske alawa do aur jagah hain...and i think ek saath baari baari dono jagah ko checkout karne ke bajaye we should divide ourselves into two groups...

ANI,RASHI,KHANAK... tum ghar jaayogi yaa...!!!

ANJALI-hell no... tere saath chal rahi hun mai...

RASHI-mai bhi...

KHANAK-me too...waise bhi tumhare rehte khatra hume nahi, SAMRAT waalon ko hone waala hai...

RASHI-true that...

DIMPLE-thik hai phir...ek kaam karte hain,tum ANJALI,RASHI aur KHANAK ke saath ek spot ko checkout karo,dusre ko mai, EKPREET aur RAJAT dekhte hain...

MAI-cool with me...pinpoint map location send kar raha hun,bas follow karo usse...20 se 30 minutes ka raasta hai,max...

BEEP....

meri bheji location ka msg notification click hua un teeno ke hi phones me jisse open kar liya tha unhone...


MAI-be safe...

DIMPLE-we will be...

mujhe smile paas karte hue palath gayi thi NEW GIRL aur uske saath hi park se bahar chal pade EKPREET aur RAJAT...

waise nikal toh mai,ANI, RASHI wur KHANAK bhi gaye the par maayne NEW GIRL, EKPREET aur RAJAT ka hi destination tha...

REASON...

correct jagah jo jaa rahe the woh teeno...






PLACE-SAHASTRADHARA ROAD,DUMPIMG GARAGE





EKPREET -ye...ye toh DUSHYANT ki hi bike hai naa...!!!


dumping garage pahunchte hi side me khadi KAWASAKI NINJA ZX-6R par sabse pehle nazar padi thi EKPREET ki...


RAJAT-arre haan ..ye toh wahi bike hai jisme kal raat race kiya tha DUSHYANT ne...

DIMPLE-matlab yahi hai woh and hopefully SAM bhi... let's get him...

apne wrist par chadhe shirt ko roll over karte hue turant tez kadmo se aage badhi thi DIMPLE jispar...

RAJAT-DIMPLE,wait...hume pehle SANVY ko inform karna chahiye...

DIMPLE-kyun,har baar SAM aur baaki sabki ass bachane ka zimma kya sirf SANVY ne hi liya hai...!!!

yahi toh main wajah rahi hai ki kabhi SAMRAT waale toh kabhi koi aur group har baar mooh ki khaane ke baad bhi hamare group par indirect attacks karte hi rehte hain...

because they think ki SANVY ke bina we are no body...kabhi na kabhi toh usse bachkar hum par successful hit kar hi denge woh theek jaise kal kiya...

jo dar unhe SANVY se hai,wahi dar jab tak unhe hum sabse nahi hoga,ye silsila chalta hi rahega...

but today,once and for all,i am gonna end this shit...

tujhe agar dar lag raha hai toh kar le SANVY ko call aur yahin wait kar...

mai jaa rahi hun andar and i am gonna fuck all those son's of bitches who will come in my way...


EKPREET-naa..akeli nahi jaa rahi tu...aur sahi kaha tune...in saalon ko humse darna zaroori hai...

waise bhi SANVY ne kaha tha ki bheed zyada nahi rakhenge woh sab... DUSHYANT aur NAMITH ko chhod den toh 5 ya 6 bande hi honge...

itne toh SANVY akele sambhalta aaya hai phir hum toh 3 hain...

RAJAT-true...upar se element of surprise bhi toh hai...hume expect toh katayi nahi kar rahe honge woh sab...

hume apne saamne dekhte hi shock honge aur utne hi time me 3,4 ke ghutne mod denge hum...

paas hi rakhe ek mote air bade se lakdi ke tukde ko utha liya tha RAJAT ne...

same chiz EKPREET ne bhi ki thi jiske baad woh teeno hi apne apne jabde bhinche tezi se garage ke door ki taraf joki baarikh sa hi khula hua tha,badh gaye...

RAJAT-badhiya...khula hai...

door ke paas pahunch bohot dheere se usse touch kiya RAJAT ne jispar halka sa hila woh...

matlab bas odhaya hua tha woh door jisse dekh aankhein chamak uthi thi teeno ki...

DIMPLE-on the count of three....

one,two,three...

DHADHHHH....

BEHENCHODON....

DIMPLE ke teen bolte hi RAJAT ne door par ek zor ki laath maari thi...

old wood ka kamzor tha door tha woh jispar laath padhte hi badi tezi se khulta chala gaya woh...

door khulte hi apne apne wood rod ko uthaye DIMPLE ke saath tezi se andar ghuse the EKPREET aur RAJAT par aisa karne ke baad jo scene saamne aaya,usse dekh shock laga teeno ko...

scene hi kuch aisa tha...

SAM moujud tha us bade se room ke end me...centre par ek chair me baitha hua tha woh par naa toh uske haath pair bandhe the aur naahi chehra covered tha...

par SAM ke alawa usse kidnap kar yahan laane waale bando me se koi bhi wahan moujud nahi tha...

sirf do bande the...

DUSHYANT aur NAMITH...

joki is waqt punishment karne ke baad school ke principal ke saamne khade hone waale position me sir jhukaye khade the...

par unki position par dhyan EKPREET aur RAJAT ka gaya hi nahi...

unhe dekh paara thoda aur chadh gaya tha dono ka aur isiliye...

EKPREET-tumhari MAA ki...


doud se pade the dono DUSHYANT aur NAMITH ki taraf...

kuch hi seconds me unke saamne the dono jiske baad unhe maarne ke liye apna apna danda utha liya tha dono ne par tabhi...

NAMITH aur DUSHYANT ke sooje hue thobde jispar jagah jagah khoon ke sukhe hue nishaan bhi the, nazar padi unki aur isiliye haath rook se gaye dono ke...

surprise se ho woh puri situation ko samajhne ki koshish karne lage...

same situation DIMPLE ki bhi thi...sabse zyada surprise toh usse SAM ko dekh kar ho raha tha jisne apne doston ko saamne dekhne ke baad bhi ek baar apna sir tak nahi uthaya tha...

jadh si haalath me baitha toh woh...wahin dusri taraf EKPREET aur RAJAT ne maarne ke liye danda tak utha liya tha par NAMITH aur DUSHYANT ne apne bachav me kuch bhi nahi kiya tha...

ab bhi woh kisi mujrim ki tarah sir jhukakar khade hue the...


DIMPLE-SAM....SAM....are you all right...???

EKPREET-SAM....bhai, dekh,we are here...

RAJAT-ye react kyun nahi kar raha...!!!koi drugs toh consume nahi karwaya inhone...


DUSHYANT aur NAMITH ko ghusse se ghurne laga tha RAJAT...

is beech DIMPLE ne SAM ke sir par haath rakha toh ek baar phirse hairan hui woh...


DIMPLE-itne thande paseene...he is freezing...hue kya hai tumhe...SAM...

jhinjhod sa diya tha DIMPLE ne SAM ko jiske baad zyada toh nahi par halka sa asar zaroor hua usse...

SAM-hhhhkknnevvr...ngg...

halke se honth hilne lage the SAM ke par samajh aaye,aisa kuch murmur nahi kiya tha usne...


MENTAL SHOCK LAGA HAI USSE...


SAM ki woh anbujhi halki awaaz DIMPLE ne suna tha jispar uski taraf jhukne ko thi woh ki tabhi ubhri entrance door se ye awaaz...


RAJAT-NITS,SONU...tum dono yahan...!!!SANVY bhi hai kya...!!!

SANVY ka naam aate hi halki si kaamp gayi thi SAM ki body jisse DIMPLE ne saaf mehsoos kiya tha...

SONU-rraaste mme hai...aa rraha hai wwoh...

DIMPLE-SONU, NITS,what do you mean ki mental shock laga hai isse...

hua kya hai aakhir yahan par...???

NITS-dekho dhyan se SAM ki aankhon me...flash back chal raha hai unme,shayad dikh jaaye tumhe...


NITS ki baat sun DIMPLE aur uske saath RAJAT aur NAMITH,dono ki gardan bhi ek baar phirse ghumi thi SAM ki taraf...

statue ki tarah abhi bhi baitha tha woh par do chizen harkat par thi...

uske honth jinse woh abhi bhi kuch badbada raha tha aur uski aankhein...jo sehmi toh thi par thehri nahi thi...

uski putliyan lagatar kuch yun hil rahi thi maano unme koi purana chalchlitr chal raha ho...


KYA...!!!khud dekh dijiye...





BACK TO LAST NIGHT...

TIME:-3.05 AM





DUSHYANT-oh behenchod...saalon ko bola tha maine ki door band rakhen...

abbe ruko...


garage ka gate halka open tha jisse push kar jaise hi andar ghuse NAMITH aur DUSHYANT toh saamne chak rahe scene ko dekh chownk gaye...

garage ke end me SAM bandha ek chair par baitha hua tha...face uska dhakka hua tha...

aas paas uske 6 bande khade the aur unme se do ne joki PAWANDEEP aur AZMAD the,unhone gala aur kandha pakda hua tha SAM ki...

punch maarne hi waala tha woh usse ko jisse dekh chilla utha tha DUSHYANT...


DUSHYANT-abbe ye kya kar raha hai...???no harm...bataya tha maine...jaise uthaya hai,waise hi wapas chhodna bhi hai isse...

SAM-DUSHYANT...you mother fucking dog...saale teri himmat kaise hui mujhe kidnap karne ki...!!!

DUSHYANT-arre,par yahi toh chahta tha naa tu...tera hi toh plan tha naa ye sab...

SAM-dont act smart rascal...tujhe ache se pata hai ki hamari deal kya thi...

fake kidnap kar mujhe mere ghar chhodna tha tujhe...par tune real me uthwa utha mujhe...

DUSHYANT-ab bhai businessman ka lounda toh mai bhi hun...

tere plan me mujhe doodh mil raha tha par mere plan me paneer milega...

ab bhai paneer ke upar doodh kyun chunu mai...!!!???

SAM-kya bakwas kar raha hai...???

DUSHYANT-arre,simple logic hai yaar...dekh,tera offer tha ki agar mai tere plan ke hisaab se chalun toh indoor games me se 2 events me tu participate nahi karega...

same goes for 2 outdoor events...

taaki hamara school unme first aa sake...inshort,, teri fake kidnapping ke badle 4 events me hume first position offer ki thi tune par ab jab ye fake kidnapping real me badal chuki hai toh 4 kya,overall kamsekam 10 aise events honge jinme SAMRAT SIRIUS aur baaki sabse aage rehne waala hai...

BEST SCHOOL OF THE YEAR khitaab ke liye itna kaafi hoga,right...!!!

THAKKK...

SAM-galti meri hai...saanp ko doodh pilane chala tha mai...bhool gaya tha ki mouka milte hi saanp toh dasega hi...

NAMITH-look who's talking...jo khud apne doston ke liye or to be specific, SANVY ke liye jisne har kadam saath diya hai tera,aasthin ka saanp saabit hua hai uske liye and you are blaming us...

arre humne toh tujhse hi inspiration li hui hai...

DUSHYANT-saanp se yaad aaya,jab se tu humse,apne arch rivals se haath milane ko taiyar hua,tabse hi ek sawal chaddha hua hai hamare dimag me...

NAMITH-sahi bola...pucha toh pehle bhi hai tujhse par har baar taal gaya hai tu...

ab toh bata de, aakhir aisi kya wajah hai jo humse deal karne ki zaroorat padi tujhe...

i mean, jeet toh hamare school ka koi student waise bhi sakta tha nahi tujhse...

phir khud ko kidnap karwana hi kyun chahta tha tu...!!!

DUSHYANT-abbe kidnapping waala ganith toh baad me set kiya isne...usse pehle apne hi school ke bahar khudse hi bhidwaya HANSH aur hume...

wahan bhi plan iska khudko victimize dikha humse SANVY ko hurt karwana tha...

itna sab...kyun...???saale jisne teri taang najaane kitne baar tutne se bachayi, uski hi taang tudwa di thi tune...

SANVY se kya bhasad ho gayi hai be teri...!!!

ab kya hi bolta SAM...ye toh bata nahi sakta tha ki ye sab bas isiliye kiya usne taaki kisi tarah SANVY ko race se door rakha jaaye...

kaise batata ki jaise SAMRAT ya koi aur school ka koi bhi student uske saamne race me nahi tik sakta, theek waise hi uski aukaad bhi SANVY se sidhe sidhe race jeetne ki nahi hai...

agar sab uske plan ke according hota toh SANVY race ke din as in kal bhi usse dhundne ke liye school chhod pure DEHRADUN ki khaakh chhan raha hota...

wahin race se pehle last moment me school pahunch race me hissa le usse jeet jaata SAM...

phir baad me apne jhute escape ki gaatha bata deta woh SANVY aur baaki sabko...

race jeetne ke liye ya phir ye kahun ki specifically 400 metres race joki main event tha boys aur girls dono me,usse jeetne ke liye apne har rival se haath milaya tha usne aur apne so called best friend SANVY ko physically hurt karne tak se piche nahi hata woh...

haan,zyada gehri chot nahi dena chahta tha woh SANVY ko par aise pre-planned fights me gadbadi toh ho hi jaati hai jo us din school ke bahar ho gayi thi...


DUSHYANT-abbe bolega kuch...


yahi sab soch raha tha SAM ki tabhi DUSHYANT ki awaaz ne usse uski soch se bahar le aaya...


SAM-maine kya kiya,kyun kiya,ye sab janana tere liye important nahi hai...important ye hai ki chupchaap jaane de mujhe... warna...

NAMITH-warna...warna kya be...!!!???

SAM-khud bola na tum dono ne...race ke liye apne best friend tak ke saath bura kar diya maine...

toh zara socho ki agar tumhari wajah se race chhuti meri toh tum logon ka kya haal karunga mai...

AZMAD-dekha...jab se aaya hau,aise hi dhamkiyan diye jaa raha hai... isiliye mooh fod rahe the iska...

DUSHYANT-relax...dhamkiyan hi de sakta hai ye...aur kuch hai naa iske bas ki...

kyunki legally, naa toh kidnapping ke waqt hum iske saamne the aur naa ab hum yahan hain...

proof hai hamare paas...rahi baat bahar humse khunnas nikaalne ki toh akele ti kabhi kuch nahi tha SAM...

jiske dum par humpar bhaari tha tu,uske toh tu khud khilaaf jaa chuka hai...

NAMITH-yahan se nikalne ke baad agar tune SANVY ko behla fusla kar humpar attack karne ke liye uksaya aur woh aaya toh hum usse teri uske khilaaf saari planning bata denge...

DUSHYANT-aur yahan toh woh aane se raha...koi loophole chhoda hi nahi humne jiske dum par yahan pahunch hume dhund sake SANVY...


PAR MAINE TOH DHUND LIYA...


DUSHYANT ki baat puri hui hi thi ki tabhi us garage me gunji ye awaaz jisse sun bina khule hi gaand fath gayi thi DUSHYANT aur NAMITH ki...

NITS aur SONU ke saath mai jo khada tha door par...

mai toh haath saamne tie kar khada tha par NITS aur SONU ke haathon me camara the jisme yahan ka pura scene aur boli hui har baat record ho chuki thi...

khair, DUSHYANT, NAMITH hi kya,SAM jisse kisi aur situation me meri awaaz sun sabse zyada raahat milni chahiye thi,uska pichwade par sabse bada crack aaya tha...

chehra dhaka hua tha SAM ka par phir bhi mujhe saaf saaf mehsoos kar gala sookh sa chuka tha uska...

MAI-kapda hata SAM ke face se...

is waqt NAMITH aur khudko mila SAMRAT ke 8 log moujud the us garage me...

phir bhi meri awaaz me jo authority thi,usse sun DUSHYANT ka haath apne aap SAM ki taraf badha aur agle hi pal uske face se woh kaala kapda haththa chala gaya...

aisa hote hi SAM ka peela padh chuka chehra hum sabke saamne tha...

PAWANDEEP-abbe kya kar raha hai...???usne bola aur tune kapda hata diya...

NITS-beta kitna hi ghatiya kyun naa ho par jab bhi baap saamne se order de toh usse maanana hi padta hai...

SAM-SANVY,i can explain...

MAI-you dont have to...about your plan but most importantly,ABOUT YOU,I KNOW EVERYTHING...

AZMAD-ye kya bakarchodi chal rahi hai...aur SANVY tu, acha hua aaj ek baar phirse mulakaat ho hi gayi...

saale jab pata tha tujhe ki yahan kya chal raha hai toh kamsekam bande toh zyada le aata apne saath...bas 2...

SONU-oye hhume bbhi mmat gin...

NITS-right...ye samajh ki ye akela hi hai idhar...par composed naa ho jaana kyunki ye akela bhi tum sabke saath kya kya kar sakta hai,bohot jaldi mehsoos kar loge tum sab...

AZMAD -ghanta kar lega kuch ye...purana hisaab hai tere se SANVY...aaj sab chuka denge...

MAI-kuch karz waqt ke saath kam nahi hote,badh jaate hain...aaj bhi badhega...

KDKKKK....AHHH....KHATTTT....AHHHHH.....

meri baat ke beech AZMAD mujhe maarne douda tha meri taraf...

ye dekh NAMITH aur DUSHYANT toh apni jagah par hi khade rahe par PAWANDEEP aur uske saath baaki ke chaaron bande bhi ho liye the uske saath par unke kadam turant rook bhi chuke the...

REASON...

mere paas pahunch mujhe punch maarne ke liye apne right fist tezi se ghumaya tha AZMAD ne par tabhi khudko halka aage kar uske swinging hand par karate chop straight hand laga diya maine aur agle hi pal...

AZMAD ke kalayi ki haddi tootne ki dheemi si ek awaaz ubhar padi...

awaaz kam thi par dard hadh se zyada jispar chillana shuru kiya hi tha AZMAD ne ki tabhi ulta ho uske us toote hue wrist ko apni taraf kheencha maine aur jaise hi AZMAD sata mujhse toh uske haath ko apne shoulder joints par hit kar diya maine, natija...

elbow joints tootne ki zordaar awaaz ubhri thi jispar gaand faad chillate hue zamin par lot poth hone laga tha AZMAD...

uski is dardnaakh haalath ko dekh ek taraf PAWANDEEP aur baaki chaaron bande toh rook hi gaye the par saath hi saath dusri taraf mere piche khade SONU aur NITS ke sharir me bhi dar ki ek thandi leher doud uthi thi...

aur aisa hona laazmi bhi tha...kyunki unki taraf hi ghoom AZMAD ke elbow joint ko toda tha maine...

us waqt mera face dekha tha dono ne jispar emotion naam ki chiz bilkul bhi nahi thi...

har baar ladhayi me ghussa saaf dikhta tha mere face par lekin aaj mai ek roothless aur merciless devil sa lag raha tha...

khair,zamin par lotpoth ho rahe AZMAD ko dekh door khade
DUSHYANT aur NAMITH ki bhi taange kaamp uthi thi par bhaagne ki himmat nahi ho rahi thi unki...

DHAKKK...KDKKDHAKKK...KDKKK...DHAKKK...KDAKKK...

AZMAD ko tadapte dekh rahe the unke dost aur in sabke beech mai unke paas pahunch chuka tha...

mujhpar achanak hi nazar padi un sabki par tab tak der ho chuki thi...

bijli si badhi meri body aur chand seconds me hi un teeno me se 2 ke haath aur ek ke pair tod diye the maine...

ye dekh jahan ek taraf PAWANDEEP hadbadate hue kuch kadam piche ho gaya tha wahin woh chowtha banda dar se kaampne laga tha...

REASON...

ye wahi banda tha jisne TULIP me injure kiya tha...issike hockey stick hit se mere pair par chot aayi thi...

mere look se woh ye jaan gaya tha ki mai bhula nahi hun usse...

BBHAI MMAI...

KDKKKK....KDKKK...

AHHHHHHHHHHH...

aage bolne nahi diya maine usse...tezi se uske right hand ko pakadte hue apni taraf kheencha maine...

is beech uske wrist ko kuch ghumaya maine ki mere paas aate aate hi uske haath ki ULNA BONE dislocate ho chuki thi...

par mai rooka nahi...kisi bori ki tarah usse apne peeth par laadne ke baad dusri taraf ulta palath diya maine...

mooh ke bal gira tha woh aur ab uska right leg mere haathon ke beech tha jiske baad knee ke back portion par pressure daalte foot ko ek tez jhatka diya maine...

natija... foot hairline fracture...

apne haath aur pair me uth rahe beshumaar pain se tadapne laga tha woh ladka jispar usse uske haal par chhod mai ghuma PAWANDEEP ki taraf aur aisa hote hi fati uski gaand...


PAWANDEEP-SANVY STOP...koi raah chalta banda nahi hun mai...meri family influence ka andaza nahi hai tujhe...

agar mujhe chot pahunchayi toh acha nahi hoga tere liye... officially aur unofficially,i will harm you a lot...

MAI-unofficially...abbe tujhe kya,tere family ke har member ko beech road me nanga karke maarun naa agar mai tab bhi ghanta nahi ukhad sakta koi mera...

rahi baat officially ki toh tujhe kya lagta hai...sirf ye DUSHYANT aur NAMITH hi backup banakar chalte hain...

meri MAA ke statement ke hisaab se is time me mai bhi ghar par hi milne waala hun...

SONU/NITS-same here...

MAI-aur mat bhool ki tum sabki recording hai mere paas...yahan kya kar rahe the tum,uski video public kar dun agar mai toh teri family ki influence chhod, izzat bhi naa bachegi...

meri baat sun chehra aur pila padh gaya tha PAWANDEEP ka...

is beech mai uske saamne pahunch chuka tha...

MAI-aur kuch...

PAWANDEEP-SANVY mai...

KDKKK....AAAHHHHH...CHATAKKKHHH...


apne index finger ko point kiya tha PAWANDEEP ne meri taraf jiske agle hi pal tod di thi maine woh ungli...

gaand faad chillaya woh jispar pada uske kaan me paas mera ek tez tamacha...

thappad ka impact itna tagda tha ki kaan se bleeding shuru ho gayi thi...

sunn ho chuke kaano se zamin par gir apni tooti ungli ko daba tadap raha tha PAWAN aur mai...

NITS aur SONU ke saath mai pahunch chuka tha DUSHYANT aur NAMITH ke paas jispar future moments me hone waale assault ko imagine kar kaamp rahe the dono...

is beech PAWANDEEP aur AZMAD ke saath piche chhut chuke saare SAMRAT ke bande apne dard ke beech kisi tarah rengte padte garage se nikalne lage the...

DHAKKK...DHAKKK...DHAKKKK...DHAKKK...DHAKKKK...DHAKKKK....

NAMITH/DUSHYANT-bhai, please...

DUSHYANT- please bhai,i beg of you...haath mat todna bhai..ahhhhh....

lagatar kayi punches maare maine dono ke faces par jiske baad unke ek ek haath ko jakad liya maine jispar gidgidane lage woh aur ye gidgidana mere unke hands par pressure dene ke saath badhta chala jaa raha tha...

haddi toot jaane waale feel se bhar ab un dono ka kaampna bhi aur badh chuka tha..

MAI-chill...haath nahi todunga tum dono ka...after all meri baat turant jo maan li thi tumne...

dono ke haath chhod diye the maine...

wahin apni baat se piche haththa nahi tha mai kabhi...jaante the ye baat DUSHYANT aur NAMITH isiliye khoon ris rahe aur suje thobde se uth rahe pain ke baawjud man hi man thode relaxed ho gaye the dono...

MAI-par tum dono ko ek kaam karna hoga mere liye...

DUSHYANT-jo bhi bolo bhai...

MAI-well nothing hard...wahi marna hai jo karne ka plan tha tum dono ka par now,just for a few hours...

subah loutunga mai...tab tak guard him...aane se thodi der pehle i will call any one of you,tab untie kar dena isse...

DUSHYANT-par bhai...untie karne par agar ye bhaag gaya toh...

MAI-bhaag toh mere jaane ke baad tum dono bhi sakte ho...

but i know ki aisa hoga nahi kyunki agar tum dono bhaage toh tumhare kidnapping ke proof ka jo video banaya hai naa,kuch editing jiske baad pura blame tum dono par hi aayega,us video ke ek copy ko tumhare school ke PRINCI aur ek copy ko hamari PRINCI ke saamne rakh dunga mai...

tumhari PRINCI toh bas resticate karegi tumhe par hamari PRINCI...she will make sure ki tum dono ka koi legal carrier kabhi bane hi naa...

meri dhamki aur hamare PRINCI waali baat ka impact itna zyada tha ki chehra peela padta chala gaya tha DUSHYANT aur NAMITH ka....

wakayi mere jaane me baad bhaagne ka socha tha dono ne jisse ab man hi man sire se khaarij kar chuke the woh...

unke dar aur us faisle ko feel kar sakta tha mai isiliye...

MAI-par mai jaanta hun ki tum aisa kuch nahi karoge... ache guards saabit karoge khudko...right...!!!

NAMITH-bilkul bhai...

MAI-good...


apni baat bol palta hi tha mai ki tabhi...


SAM-bhai SANVY...i am sorry yaar...ek baar mujhe samjhane ka mouka toh de...

SHHHHHH...

wapas palath SAM ke theek saamne pahunch uske face ke paas jhuka mai aur...


MAI-teri sabse badi problem yahi rahi hai...tu meri baatein dhyan se nahi sunta...

mere yahan aate hi kuch kaha tha maine...bhul gaya...

i said,i know everything about you... stretch kiya tha bakayada is sentence,phir bhi matlab nahi samajh paaya tu...

mere bolne ka matlab tha...


thoda aur aage badh SAM ke kaan me thodi ser kuch kehta raha tha mai...

kul do baatein thi jinme se ek sun aankhein apni hadh tak faile gayi thi SAM ki par us aascharya ne apni seema meri dusri baat sun kar laandh di...

fati aankhon se mujhe dekhne laga tha SAM aur sharir uska halke halke kaampne lag gaya tha...


MAI-ab bindaas khulla chhod do isse...nahi bhaagega ye...




FLASHBACK ENDS:-



NITS-puch puch kar thak gaya mai us kamine SANVY se ki aisa kya bola usne isse jiske baad baithe baithe hi mar gaya ye...

saale ne bataya nahi kuch par baat sahi thi uski...

jis haalath me chhod kar gaye the isse,ab haath pair khule hai iske par posture tak nahi badla isne...


EKPREET-aisa kya bol diya bhai...aur SAM,itna gir jaayega tu,kabhi socha nahi tha maine...

RAJAT-sach me SAM...saale khudko kidnap karwaya tune...aur SANVY ka jo pair fracture hua tha,woh bhi tera hi plan tha...chhi...disgusting SAM...


in SAMRAT ke loosers se jinhone hamesha tumhe hurt karna chaha mil gaya tu aur uske khilaaf plan kiya jisne har baar har problem se bachaya tujhe...kya bolun tujhe,samajh me nahi aa raha mujhe...

EKPREET aur RAJAT SAM ko bake jaa rahe the par DIMPLE ke dimag me dusri baat chal rahi thi aur isiliye...

DIMPLE-SANVY ko SAM ke plan ke baare me maalum tha...infact,iske har plan ke baare me maalum tha...

phir bhi hum teeno me se kisiko kuch nahi bataya usne...

NITS-make it 6...RASHI,KHANAK aur NAISHA ko bhi kuch nahi maalum hai... at least maalum nahi tha...

DIMPLE-par kyun...!!!

SAM-because he knows everything damn it...every.....damn....thing.....about usssss...


itni der se chupchaap badbadata SAM finally un muttering words ko chilla utha jisse sun EKPREET aur RAJAT toh bas hairan hue par DIMPLE...

ab baari uske chehre ke peeli padhne ki thi jisse dekh...


SAM-haan DINGLI...he knows everything...and i mean everything...hamare baare me bhi aur humse related baatein bhi...

ro hi pada tha SAM jisse dekh ek taraf ab DIMPLE halki halki kaampne lagi thi aur RAJAT, EKPREET...

sawal toh bohot aa jaa rahe the dono ke dimag me par SAM ko yun fafak fafak kar rota aur DIMPLE ke death expressions dekh kuch puchte nahi bana unhe...

par SAM ki baat sun NITS aur SONU smile karne lag gaye the jiske baad...


NITS-kya baat hai SAM...DINGLI...DIMPLE ka woh pet name jo sirf iski mom use karti hai,tujhe kaise pata...???

jahan tak mujhe pata hai, isne toh kabhi bataya nahi...


MAI BATAUN...!!!


mai tha ye joki chaaron girls ke saath door par khada tha...

mera face toh shaant hi tha par ANI aur baaki teeno girls bhi is waqt NEW GIRL aur SAM ko hirakat bhari nazaron se dekh rahe the...

raaste me un teeno ko dono ke baare me bata jo diya tha ANI ne...


MAI-isse toh pata hi hoga...

aakhir,BHAI BEHEN jo hain dono...

BOOM....



pin drop silence sa ho chuka tha pure garage me...RAJAT aur EKPREET ke saath saath NAMITH aur DUSHYANT bhi mooh faade kabhi mujhe toh kabhi sir jhukaye khade aur baithe SAM ko dekh rahe the...

wahin mera revelation sunane ke baad NEW GIRL ki jhuki aankhein band ho chuki thi jinke kinaaron se aansuon ki boond girne lagi thi...

EKPREET-kya bakwas kar raha hai SANVY...ye dono kaise bhai behen ho gaye...!!!???mai SAM ke har cousin ko jaanta hun,DIMPLE isn't one of them...

RAJAT-haan yaar,hoti toh hume toh kamsekam pata hi hota naa...

MAI-diye ke neeche hi sabse zyada andhera hota hai aur us andhere me kya panap raha hai,pata karna asaan nahi hota...

waise bhi ye dono cousin nahi hain,siblings hai...half siblings...

ANJALI-ye...this is one statement jo ab tak samajh nahi aayi mujhe...

ek ye baat...aur ek ye ki SAM...cheat karna ek baat hoti hai aur betrayal alag...

betrayal is a big word aur wahi karne ki koshish ki tune SANVY ke saath...

i mean seriously, soch kya raha tha tu...aur aisi kya baat hai jo SANVY ko trap karne ke liye itni lambi chowdi planning ki tune...

even hurt kiya tune isse...hurt...teri MAA ki...


mere hurt hone ki baat achanak hi jaise ghumi thi ANI ke dimag me jiske baad chehra ghusse se tamtama utha uska...

SAM ko maarne aage badhi thi woh par maine turant kandhe par haath rakh rok liya usse...

apne ghusse ko peete hue kuch pal ghura ANI ne SAM ko par phir ghumi uski nazar NEW GIRL ki taraf...


ANJALI-aur DIMPLE tu...tujhpar ghussa karun ya taras khaaun,ye samajh nahi aa raha mujhe...

maana ki behen hai tu SAM ki par ye toh pata hi tha na tujhe ki GALATH kar raha tha ye...

phir kya zaroorat padh gayi jo is looser ke har plan par chupchaap reh apni sehmati deti chali gayi tu...

SANVY loved you damnit... pehli ladki hai tu jiske liye genuinely dil dhadka tha iska...

aur kitna zyada dhadka tha,is baat ka saboot toh yahi hai ki sach jaanane ke baad mooh todna chahti thi mai tera par isne apni kasam dekar rok diya tha mujhe...

aur pata hai kya bola tha isne...


"JAANE DE NAA...USKA DIL BHALE HI MAILA HAI PAR MERA ISHQ TOH SAAF HAI"...


ANI ke mooh se meri kahi baat ko sun ashkon se saje apne aankhon ko utha meri dhundli zinda tasvir dekhi NEW GIRL ne par mujhme ab dhundti bhi toh kya...

chehra aur aatma...dono patthar se ho chuke the mere...

phir bhi kuch kehne ko hui woh par tabhi...


MAI-niklo be...


sard si awaaz me DUSHYANT aur NAMITH se kahi thi maine ye baat jispar dono ne amal fauran kiya...

turant nou do gyarah ho chuke the dono...

wahin meri awaaz me jo thandak thi,usse sun chup hi reh gayi thi NEW GIRL...

NEW GIRL jaanti thi ki aage kya hone waala hai..mai aise raaz kholne waala tha jo usne,SAM sur unki families ne sirf apne doston se hi nahi balki puri duniya se chhupa kar rakha hua hai...

ek aisa raaz jo agar duniya ke saamne aa gaya toh unki izzat mitti me mil jaani thi....

par sir jhukaye kisi mujrim ki tarah khadi reh apni,SAM ki and most importantly apne FAMILY ki haqiqat mere mooh se disclose hone ka wait karne lagi thi woh jiski shuruat RASHI ne kar bhi di...


RASHI-dude...SAM ki planning aur isse DIMPLE ka rishta tak sab bata diya hai tune...

par do main chizen ab bhi unclear hain...first ki how the hell is she SAM'S half sibling aur itna kuch jo SAM ne kiya, what's the actual reason...???

kyunki aise betrayal ka sirf ek race hi reason toh ho nahi sakta...

MAI-jo reason hai,woh in dono hi sawalon ka jawab hai...

ANI-kya...!!!

MAI-ek baat batao RAJAT, EKPREET...SAM ke dad se mile ho kabhi...!!!


mere sawal par ek baar phir ek baar phir halke se kaampe the SAM aur DIMPLE ke bodies...


EKPREET-PRANAV AHLUWALIA...haan,bohot pehle mila tha...

RAJAT-me too...

MAI-hahaha... that's a cover name brother...ek fake aadmi jisse SMRITI CHANDER ne duniya ke saamne apne pati ki identity di...

SAB-WHAT...!!!

MAI-yup...same thing goes for ARCHANA BATRA...

MANWANT BHASIN...dad waale coloum me yahi naam likhti ho naa tum...


bas halka sa nod kiya tha NEW GIRL ne jispar...


NITS-dont tell me...woh bhi fake hai...!!!

MAI-yup...

RASHI-holy cow...!!!par kyun...!!!in dono ki moms ne aisa kyun kiya...!!!asli husband ka naam batane me bhala kaisi sharm...

MAI-maamuli logon me nahi hoti par jab aap top business icon hon aur samaaj me GALATH maane jaane waale kaam kiye gaye hon toh you have to cover it...

SAB-matlab...

ANI-yaar aur suspense nahi jhel paayenge...ek baar me clearly bata de...

MAI-DIMPLE ki aur SAM ki moms cousins hain...from there mothers side...isiliye dono ke surnames alag alag hain...

unhi surnames ko ye dono bhi use karte hain...


ye ek aur jhatka tha jispar sabki aankhein badi ho chuki thi...


ANI-and what about there father's...!!!

MAI-fathers nahi babe...FATHER...dono behno ne ek hi shaksh se shaadi ki hai aur yahi wajah hai ki they have kept there marriage under cover...

(isiliye CHRISTMAS me SANVY ke ghar ek dusre ko ghoor rahi thi SMRITI aur ARCHANA)


aur koi hota toh disclose kar bhi dete par jisse in dono ki mom's ne shaadi ki hai,he is a way bigger name then ARCHANA BATRA and SMRITI CHANDER combined...

and he is...


MR JAIDEN CHOWDHARY...









AAJ KE LIYE ITNA HI...






AAPKA APNA V...J...
 
Member
182
254
43
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF SAMRAT WAALON KA SAARA PLAN FAIL HO JAATA HAI WAHIN DUSRI TARAF NITS DIMPLE AUR SAM KE SABHI SECRETS SABKE SAAMNE OPEN KAR DETA HAI.

AB AAGE:-


CHAPTER 1

(ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-85

DATE-THE DAY CONTINUES


CITY-DEHRADUN

PLACE-SAHASTRADHARA ROAD,DUMPIMG GARAGE






YOU ARE AS GOOD AS SAM... PARTICIPATE KARNA CHAHIYE TUMHE IS BAAR...

DIMPLE-REALLY...!!!MUJHE LAGA THA KI MAZAK KAR RAHE THE TUM...

MAI-MAZAK KAR RAHA THA...!!!NAA...I AM PARTICIPATING...

DIMPLE-YE SUDDEN LIMELIGHT ME AANE KI WAJAH...!!!

MAI-AUR KYA...!!!OR SHOULD I SAY KAUN...MR JAIDEN CHOWDHARY...(update 75)

.....................................................

ISHQ NA BADALTA HAI,NA ABAAD KARTA HAI AUR NAAHI BARBAAD KARTA HAI...

BAS WAJOOD KI JO ASLIYAT ANDAR DABI HOTI HAI,USSE AZAAD KARTA HAI...(update 76)

.....................................................

SAHI KE LIYE MUJHSE ZYADA KOI SAHI NAHI PAR GALATH KE LIYE MUJHSA GALATH BHI DUJA KOI NAHI (update-78)

.....................................................

JUNOON-E-PREM ATTI BUDDHI JEEVON KO BHI MURKH BANANE ME SAKSHAM HOTA HAI"...

HE NEVER LEAVES AND BACKSTABS HIS FRIENDS"...PERIOD...(update 79)

.....................................................



alag alag moukon par mere mooh se nikle ye words ya phir mere baare me kahe gaye ye saare aur aise hi bohot se shabd abhi gunj rahe the NEW GIRL ke dimag me...

jab se PRINCI ne annual sports ko interschool level meet me badal diya tha aur maine sports meet me participate karne ki baat kahi thi,tabse hi SAM kisi bhi tarah mujhe aisa karne se rokne ki koshish me lag chuka tha...

najaane kitne hi parpanch kiye usne...is beech mere ravvaiye ko bhi usual se hatke feel karna shuru kiye tha NEW GIRL ne par kyunki tab mai uska B.F ban chuka tha isiliye woh slight attitude diversion normal hi laga tha usse...

lekin ab jab saare patte khul chuke the,samajh aane laga tha usse ki mera koi bhi diversion normal nahi tha...

unka game shuru hone se pehle hi open ho chuka tha mere aage...

par kitna pehle...SAM ki planning but more importantly,uske aur NEW GIRL ka rishta,kabse jaanta tha mai is RAAZ ko...

aur more se zyada most importantly,un dono ke ek baap ke baare me kaise pata chala mujhe...

sawal ye is waqt NEW GIRL aur SAM ke dimag me zaroor tha par jahan ek taraf NEW GIRL thi jo pahad si bhaari glaani ke beech dabe hone ki wajah se sir jhukaye khadi thi wahin dusri taraf tha SAM jiski itni zyada fat rakhi thi ki mooh kholne ki himmat bhi naa bachi thi usme...

par sawal sirf un dono ke dimag me toh chal raha tha nahi...

mere mooh se nikle aakhri shabd ko sun garage me moujud mere sabhi doston ka dimag band aur mooh khul chuka tha...

woh sabhi kabhi mujhe dekhte toh kabhi saamne sir jhukaye khade NEW GIRL aur SAM ko jinki chuppi is baat ka saboot thi ki mera revelation sach tha...

mere revelation ke baad lagbhagh 5 minutes guzar chuke the par is beech koi kuch bola nahi tha aur ye laazmi bhi tha...

ab baat hi itni badi thi ki usse hazam karne me waqt toh lagna hi tha...


NITS-JJAIDEN CCHOWDHARY...THE JAIDEN CHOWDHARY...THE FUCK....REALLY...JAIDEN CHOWDHARY...!!!


slow tone me start kar SONU ki tarah haklate hue finally JAIDEN CHOWDHARY bolte bolte chilla hi utha tha NITS...


RASHI-how...how do you know it...!!!???

ANJALI-yaa...in dono ki khamoshi tumhari baat ka truth reveal kar rahi hai...

but how do you know it...???kyunki itna bada secret jo as per your words only, puri duniye se chhupa kar rakha hai in dono ne...

in dono ne kya,apne real husband ka naam cover karne ke liye inki moms tak ne fake husband ko show kiya hua tha...

and considering the persona of both there moms,its a damn big thing to hide...

pure Uttarakhand me naam hai SAM ki mom ka aur DIMPLE ki mom toh world famous hai...

aise me itna bada secret lagatar salaon se carry karna, it's not a piece of cake...

but you knew it...how...???

bas ek NEW GIRL ka sir hi neeche tha baaki ANI ke sawal par sabke curiosity se bhare chehre mere upar tik chuke the...

SAM ka bhi...

MAI-sawal jitna pechida lagta hai,kayi baar jawab utna hi asaan nikalta hai...is case me bhi aisa hi hua hai...

SAB-matlab...!!!

MAI-last year jab I.Q hunt competition ke liye delhi gaya tha tu,ARCHANA BATRA as in teri step mom ke yahan hi ruka tha naa...

SAM-tujhe,tujhe kaise pata...???

kaafi surprise ho gaya tha SAM...


MAI-tune hi toh dikhaya tha...

SONU-ddikhaya ttha..abbe,kkya bol rraha hai ttu...???

MAI-jis din competition tha iska,us din tera birthday bhi tha...

remember...!!!

SONU-haan...wish kkarne ke lliye vvideo call kiya tha isne...us ttime ttum sab bhi toh tthe...

MAI-yup... competition ko sirf ek ghanta bacha tha jiske baad kaafi time tak occupied ho jaane waale tha SAM...

waise free hokar shaam ko bhi tujhe wish kar sakta tha par hum sabse ek saath baat karna chahta tha ye isiliye final preps ke beech hamare assembly time se just pehle,he called...

and at that very moment,apne BACKGROUND ko self expose kar diya tha isne...

SAM-SHIT...


BACKGROUND ko thoda zor dekar bola tha mai jispar baaki sab toh confused hi rahe par SAM ki aankhein ek pal ke liye sochne waale andaz me choti hui par phir turant badi hoti chali gayi...

failure smile face par laate hue sir par haath maar liya tha usne...


MAI-us din mobile hang karne ke baad jab palta tha tu toh competition ki hadbadi ke beech agar ek baar bhi rook saamne dekh leta toh mere saath game khelne ka sochta bhi nahi...

RASHI-dude...tere jitne intelligent nahi hai hum... sidhe sidhe shabdon me fill us in...

MAI-yaad hai baaton ke beech jahan ye khada tha,wahan BACKGROUNDS me walls par lage nakkaishiyon aur paintings ki taarif ki thi maine...(UPDATE-27)

RAJAT-yaa,i remember...

EKPREET-me too...


un nakkaishiyon aur paintings ki hi tarah room me alag alag jagahon par 3 wall photos lagi thi...do medium size aur ek 4/3 ki badi photo aur kyunki baat karte hue SAM carelessly room me ghum raha tha,i caught the sight of all those pics....

medium size photos me se ek me ye dono the...dusre me inke saath ARCHANA BATRA thi aur third big photo inki hidden family photo thi....

jisme ye dono,inki moms aur inke dad MR JAIDEN CHOWDHARY the...

surprise hua tha mai par phir jaane diya...


NITS-bhains ki poonch...tere saamne tabse open tha iska background aur naa isse ya hume bataya tak nahi tune...

MAI-dost jo tha ye...woh kahani jo har kisi se chhupa rakhi thi isne,uspar sawal kar isse humiliate kaise karta mai...

RASHI-par yaar SANVY...agar us din SAM alert rehta toh tu woh pics kabhi dekh nahi paata...

aise me jo bhi ye plan kar raha tha,he would have succeeded in that ...

MAI-i doubt that... tasviren chehre dikhati hain,un chehron ke beech waale rishten toh bayan nahi karti...

agar us din maine woh pics nahi bhi dekhi hoti tab bhi der saver hi sahi,in dono ke beech ka rishta toh kamsekam mujhe pata lagna hi tha...


KHANAK-kaise...???

MAI-genetic inheritance...

1-inside edge of eyes...

2-cheek bones...

3-nose tip...

4-philtrum...

NAISHA-hain...!!!ab ye kya hai...???

MAI-the four pillars of genetic inheritance...


in dono ke chehre bhale hi ek dusre se kaafi alag hain,all thanks to there different mom's but kyunki in dono ke dad ek hain,the most important parts of there faces jinse same genetic inheritance ka secret open hota hai,woh exactly same hain...khud dekh lo...


apna mobile jisme is waqt pics art khula hua tha,usse saamne kar diya tha maine...

is waqt teen pics line me dikh rahi thi screen par jiske ek part me SAM ka chehra,dusre bhaag me NEW GIRL ka face aur third me unke dad MR JAIDEN CHOWDHARY ka straight angle clear face dikh raha tha...

saath hi saath teeno hi faces ke beech features ke upar lines kheenchte hue wahin words use kiye the maine jo abhi abhi kahe the...

aur wakayi...chehra bhale hi ek dusre se kaafi alag tha SAM,DIMPLE aur unke baap ka par teeno ke hi aankhon ke inside edges,cheek bones,nose tip aur philtrum bilkul same the...

MAI-teen logon ke beech in chaaron facial features me se ek,do aur agar teen chizen bhi ek si hon tab bhi coincidence maana jaa sakta hai par agar chaaron features resemble karen,that means...

RASHI-they are genetically connected...

MAI-yup and that to very closely...


yahan mai apni theory prove karne me laga hua tha aur wahan baaki sab mere phone par point out kiye facial features ko dekhne ke baad ab aankhein faade mujhe dekhne lag gaye the...


KHANAK-you are...!!!kya bolun tumhe SANVY...???kya kya dekh lete ho tum...!!!

NITS-sach me be...teri aankhein hain ya phir koi microscopic device...

itne deep aur unrecognizable chizon ko bhi detect kar leta hai tu...

MAI-chiz nahi log...aur jab log apne hone ka dhong rachayen toh chaalak banana laazmi hai...


meri baat sun ek baar pleading eyes se dekha mujhe SAM ne par DIMPLE ki nazar ab bhi neeche hi thi...


MAI-waise dhong se yaad aaya...kaam toh friendship ke naam se bhi badha sakte the tum dono...

phir plan me ye love angle waale dhong ko daalne ki zaroorat kya thi...!!!

DIMPLE-dhong nahi tha woh... maano,mat maano but i bloody love you...

SAM-haan SANVY...i swear to GOD...she really loves you...


pehli baar utha tha sir DIMPLE ka...

aansuon se bhare uske face par izhaar ki sachayi saaf dekh sakta tha mai par is sach ka waqt khud kharab kiya tha usne...

wahin SAM ki baat sun ek khilli waali smile sabhi ke face par naach uthi thi...

us hasi ko sun SAM ka face toh ek baar phir se neeche ho gaya tha par DIMPLE ki aankhein ab bhi meri aankhon par jami hui thi...

MAI-phir bhi DIMPLE...???

DIMPLE....

.....................................................

TUM MUJHE NEW GIRL KYUN BULAATE HO...???AB TOH NAA MAI IS SCHOOL KE LIYE NAYI HUN AUR NAAHI TUMHARE LIYE...

MAI-MERE JAZBAAT KE LIYE TOH HO...TUM WOH PEHLI GIRL KO JISNE SANVEER AHARYA KE DIL ME EK NEW FEELING KO PAIDA KIYA...

WOH EHSAAS JO SOCHA NAHI THA MAINE KI KABHI FEEL KAR PAAUNGA MAI...

ISILIYE NEW GIRL...(update 80)

.....................................................

mere DIMPLE bolte hi NEW GIRL word ke mere use karne ka reason gunj utha tha uske dimag me...

aaj pehli baar usse uske naam se bulaya tha maine...

matlab samajh uski sookh chali aankhein ek baar phirse bhar uthi thi...

MAI-kyun kiya...???

tumhari MOM ka favourite SAM hai, isiliye...???


surprised reaction turant aaya tha DIMPLE aur SAM ke dono ke faces par...


DIMPLE -tumhe kaise...???

MAI-tumhe kya lagta hai, tumhari aur SAM ki mom ka cristmas eve par mere ghar aana ittafaq tha...

it was my plan...dono sautano ko aamne saamne laana chahta tha mai...

mujhe bataya tha ANI ne ki uski aur SAM ki mom us din meeting ke liye kahin saath jaane waali thi isiliye maine isse apni mon ko mere ghar se hote hue jaane ke liye force karne ko kaha tha...

i knew ki unke saath SAM ki mom bhi zaroor aayegi mere ghar...

aur jab ye ghar par nahi thi tab mai pahuncha tha iske ghar...

iski mom ko apne ghar invite karne ke liye which she happily agreed to...

aur jab woh ghar aayin toh unki nazar sabse pehle SAM par hi gayi thi...

dekha toh unhone phir apni beti ko bhi tha par SAM ko dekhkar jo khushi unke face par aayi thi,uski baat hi aur thi...

waise notice toh is difference ko tumne bhi kiya tha...pal bhar ke liye murjha jo gaya tha tumhara face...


sach thi meri baat jispar kuch kaha nahi DIMPLE ne par pain jo uski aankhon me aaya tha,uske baad usse kuch kehne ki zaroorat bhi nahi thi...


MAI-kamaal hai...sagi mom woh tumhari hai par preference SAM ko...iska toh ek hi reason ho sakta hai...tumhare dad...

tum dono me unka preference SAM hai right...!!!unki hi wajah se tumhari mom bhi isse hi priority deti hai...

aur yahi wajah hai tumhara iske plan me iska saath dene ka...to please your parents...


DIMPLE aur SAM ke beech ek baar phir chhaayi khamoshi ne saaf kar diya tha ki sahi tha mai...

par mere is revelation ko sun mere saare dost ek baar phirse hairan reh gaye the...


RASHI-matlab inke parents ko inke plan ke baare me maalum tha and they were ok with it...!!!

MAI-ye kahani toh mujhe bhi jaanani hai...

toh bhai behen me se kaun batayega...???


saare patte toh khul hi chuke the...aur zyada humiliate hone ke liye kuch bacha toh tha nahi isiliye kandhe chuka ek lambi saans chhodi SAM ne aur...


SAM-ye sab last year shuru hua...tabhi jab mai i.q hunt competition ke liye delhi gaya tha...

rare occasion tha woh kyunki mai,DINGLI,mom as in ARCHANA mom,aur dad, chaaron hi ek saath the wahan...

competition ke baad jab ghar louta mai toh dad ke saath baitha...

competition jeet chuka tha mai isiliye dad congratulated me...

then he asked me about my friends aur jaise hi tera naam liya maine toh he started asking specifically about you...

he was very keen,tere baare me jaanane ke liye...i guess reason tum sabko pata hi hai...

SANVY'S father...the only man to beat my father...woh jaanana chahte the ki kya MR SANEEL AHARYA ka beta bhi unki tarah hi champion hai...

dad se mai kuch chhupata nahi isiliye tere talent ke baare me unhe sab sach bata diya maine...

and as i said...DINGLI was there... pehle ye jaankar ki dad ko kisi ne haraya tha,iska interested hamare convo me jaaga...

then tere baare me unka specifically puchna aur phir mere mooh se joki SIRIUS ka champ hai,ye admit karna ki you the best,iski tere liye curiousity badhne lagi...

aur ye curiousity tab extreme hui jab isse pata chala ki itna talent hone ke baawjud tu school me ek average student bankar rehta hai...

kisi ka aisa ATTITUDE pehle kabhi dekha kya,suna bhi nahi tha isne...

tujhse milne se pehle hi she was drawn into you...us pure din ye bas teri hi baatein karti rahi... tere saare kaarname sun yakin hi nahi ho raha tha isse ki koi aisa bhi ho sakta hai...

aur isiliye she decided ki next year,she is gonna join SIRIUS...

anyways,mere wapas yahan aane se pehle dad ne bataya mujhe ki next year woh mere school aa rahe hain,for the 100th anniversary aur unki khwahish hai ki mai hi champ banu...

easy tha mere liye jab tak tune ye decide nahi kiya ki you are gonna participate this year...

dad ko phone par batayi thi maine ye baat...i said ki shayad is baar champ ka tag naa mile mujhe as SANVY is participating...

par tab tak ye competition bohot huge ho chuka tha...

national level position stake par tha jo kabhi mere dad ne bhi aise hi ek competition me achieve kiya tha...

isiliye he said ki by hook or by crook,i have to win this competition...

same chiz ARCHI MOM ne bhi kahi thi...

aur unhone hi DINGLI se kaha tha to help me...kisi bhi tarah tujhe competition se back down karne ke liye ye saath de mera....

trust me SANVY, pehli baar me mana kar diya tha isne...but her mom kept forcing her...dad ne bhi same demand ki...

jab retaliate karne ki koshish ki isne toh even phone par isse baat karna bhi chhod diya tha unhone...

isiliye just for our parents sake,she agreed...

NITS-chi,chi,chi,chi,chi...saala ek aadmi jisse DEHRADUN ke har school ka student apna role model maanta hai...

jisne apne mukaam ki chhap sirf desh me hi nahi balki videsh me bhi chhodi hui hai...

dusri taraf ek aisi aurat jisse hamare desh ke leading industrialists me se ek bola jaata hai...

professionally idols for our society,our country par personal level par itni down market ghatiya soch...

baap se nahi jeet paaye toh apne bete se uske bete ko hara khudko bada banayenge hum...

ghanta...abbe champ baad me banana, pehle sahi insaan to ban jaa re...

SONU-aur ek bbaat bbata bbe...mmom ddad ttere GALATH the,ye ttoh ppata hi hoga nna tujhko...

ye ssab ggame kkhelne ke lliye ttere zzzamir ne tujhe dhikkara nnahi...


SAM ki baat sun NITS aur SONU ke saath baaki sab bhi jhunjla se gaye the...

ghussail bhari nazaron se dono hi usse dekh rahe the...


SAM-SANVY,mujhe maaf mat kar...mai deserve bhi nahi karta par please yaar...forgive DINGLI...

family pressure me aakar usne ye sab kiya...but she really loves you...

MAI-kis level ki moti buddhi hai be teri...tu mujhe convince kar raha hai..!!!

sachayi mujhe abhi abhi pata chali hai kya...???

tum dono game isiliye khel paa rahe the kyunki mai khelne de raha tha...

ye mujhe dhoka nahi de rahi thi...mai isse dene de raha tha...

teri toh baat hi chhod...jis din mere khilaaf tune plotting shuru ki thi,matter karna band ho gaya tha tu mujhe...

par ye,the so called love of my life,saari sachayi jaanane ke baawjud mai iske saamne chup sirf isiliye tha kyunki mai dekh raha tha ki iske dil me tu aur teri family ka ganda pyar kab tak mere saaf pyar par haavi rehta hai...

saala aakhir tak haavi hi reh gaya...


DIMPLE ko ek gehri nazar se dekh ek lambi saans chhod wapas palat gaya mai...

aur mujhe jaata dekh baaki sab bhi palatne lage the...


DIMPLE-SSSANVY...pplease....mmmai ye sab...


gala rundhne ki wajah se awaaz atak gayi thi DIMPLE ki par uska sisakna sun mai rook chuka tha...

itni der me apni galti ke liye aankhon se toh kayi baar maafi maang chuki thi woh par mooh khol ye pehli baar tha jab adhure shabdon ke saath plead kiya tha DIMPLE ne...


SAM-DINGLI...

CHATAKKKHHH...


DIMPLE ko kandhe se pakad housla dena chahta tha SAM par iske touch karte hi tezi se ghuma DIMPLE ka haath aur agle hi pal ek gaadha panja chhap chuka tha SAM ke face par...

ye scene dekh mere saath saath ruke baaki sab bhi thode shocked ho gaye the...

par un sabko jaane ka ishara kiya maine jispar sabhi garage se nikal gaye...

wahin mai pahuncha wapas DIMPLE ke saamne jo bhari aankhon ke beech bhi bina palke jhapkaye mujhe dekh rahi thi...


MAI-mai ye sab kya...???

DIMPLE-mai ye sab hamesha ke liye tumse chhupa kar nahi rakhne waali thi...saara sach...i would have told you...

MAI-i believe you...bas ek sawal ka honestly jawab dogi...!!!

DIMPLE-anything...

MAI-kab...???kab batane waali thi tum mujhe... race se pehle ya race ke baad...

matlab successfully mujhe dhoka dene se pehle ya uske baad...


mere sawal ka jawab zaroor tha DIMPLE ke paas par woh jawab pleasent toh tha nahi...

labh hilkar hi reh gaye the uske aur ye dekh...


MAI-jawab mil gaya mujhe...aur tu...ek baat bata be...kuch dino pehle kahi meri baat ki" i will participate",yaad reh gayi tujhe par barson pehle kiya gaya mera vaada kaise bhool gaya tu...!!!???

"SIRIUS KE SCHOOL DIVISION KA CHAMP TU HI RAHEGA"...

meri baat sun mera usse ye barso pehle kiya gaya vaada ghum sa gaya tha SAM ke dimag me...


MAI-itne saalon ki dosti me kamsekam ye toh pata hona hi chahiye tha tujhe ki SANVY apne promises kabhi nahi todta...

SAM-mujhe maaf kar de yaar...dad ki baat sun bohot zyada nervous ho gaya tha mai...

unke saamne kaise bhi jeetna hai,iske alawa aur kuch yaad hi nahi raha tha mujhe...

MAI-toh ek baar sidhe sidhe bol deta...teri nervousness wahin khatm kar deta mai...

pehle bhi toh kayi baar tere har raaste se khud ko hataya hai naa maine... phir is baar kyun nahi haththa...!!!


meri baat sun sir sharmindagi se jhuk chuka tha SAM ka par ab faayda hi kya tha...!!!jo karna tha, kar chuka tha woh...


MAI-well,itne saare bad news ke baad i also have a good news for you...

ab tak toh samajh aa hi gaya hoga tujhe ki meri sports meet me participate karne waali baat fake thi...

just wanted to bring out your true colour which i just did...

isiliye my promise still stands...har saal ki tarah is saal bhi SIRIUS school division ka champ tu hi banega...

duniya ke saamne, tomorrow you will make your father proud...

all the best...


dono ko dekh smile karte hue wapas palath aage badh gaya mai...

jaise jaise door hote chale jaa raha tha mai,DIMPLE ke face par ek tez bechaini saaf dikhti chali jaa rahi thi...


DIMPLE-SANVY...


garage ke front door tak pahuncha hi tha mai ki mera naam zor se pukaar meri taraf doud gayi DIMPLE...


DIMPLE-maine jo kiya hai,mai jaanti hun woh maafi ke layak nahi hai...but i am sorry...

kal ke race me participate karo SANVY...haan ye sach hai ki mom dad ke liye mai apne bhai ka saath de rahi thi...

par ek sach ye bhi hai ki i have always wanted the world to see the real you...

the born champ that you are... race SANVY aur agar mujhse kabhi bhi mohobbat ki hai tumne toh win it ..

MAI-see now that's the thing...tumse mohobbat ki thi isiliye hi toh race nahi karni mujhe...

meri baat ko sun sawal dikhne laga tha NEW GIRL ke face par jispar uske theek saamne khada hua mai aur...


MAI-




aisa toh ho nahi sakta naa ki SANVY apni baat se MUKAR JAAYEGA...

tera dhoka tere pyaar par bhaari hai,par dil mera koi halka patta nahi jo toot kar BHIKAR JAAYEGA...

lekin pyaar toh tha hi jiska karz chadha hua hai mujhpar magar...

tere khawish-e-talab,tere bhai ki jeet se ab woh UDHAAR bhi UTAR JAAYEGA...









AAJ KE LIYE ITNA HI...






AAPKA APNA V...J...
 
Member
182
254
43
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF SAM SABKO APNE DIYE DHOKE KA REASON BATATA HAI WAHIN DUSRI TARAF SANVY SAM KO ASHWASAN DETA HAI KI WAHI IS BAAR BHI SCHOOL CHAMP BANEGA.

AB AAGE:-


CHAPTER 1

(ETIOLOGY OF BEING GALATH)


DATE-1ST JANUARY 2021

MEGA UPDATE-86


CITY-DEHRADUN

PLACE-SANEEL'S RESIDENCE






HAPPY NEW YEAR MERA BACCHA... SUBAH SE GAYA, ABHI LOUT RAHA HAI TU...

MMM...YOU ARE SMELLING SANVY...BUT BODY SWEAT KE SAATH KUCH AUR SCENT BHI HAI...

ARRE YE TOH DUMP YARD SMELL HAI THAT TOO FROM A VERY OLD ONE...

SAHASTRADHARA ROAD WAALE DUMPING GARAGE ME TOH NAHI GAYA THA TU...

CHAL JALDI SE NAHA LE...LUNCH KARTE HAIN...

TERE CHAKKAR ME MAINE BHI NASHTA NAHI KIYA...

WAISE TERI FAVOURITE CHETTINAD BANAYI HAI...CARAMEL CUSTARD BHI...DEKHNA,AAJ TERE SE ZYADA KHAA JAAUNGI MAI...

BET LAGAYEGA...


mere ghar aate hi hall me dikhi mujhe meri MAA jinhone chand seconds me apna pyar aur vilakshan buddhi ka namuna saath me hi dikha diya tha...

kahan tha mai,bas smell kar hi andaza laga liya tha unhone par most importantly,jaanti thi woh ki is waqt mera mood sahi nahi hoga isiliye mere ghar se nikalne ke baad se hi mere pasand ka khaana banana shuru kar diya tha unhone...

par har baar sahi hone waali meri super awesome MAA aaj thodi hi sahi, GALATH ho gayi thi...

haan,mood zyada smooth nahi tha mera par kyunki bohot pehle hi aaj ke din ke liye ready kar liya tha maine khudko, isiliye dimag par stress kam tha mera aur jo thoda bohot tha,woh bhi MAA ko dekhte hi door ho chuka tha...

meri hi tarah woh bhi soyi nahi thi raat bhar se...

magar jahan ek taraf raat ke baad in chand ghanton me mai murjhaya sa lag raha tha wahin hare rang ke chamakdaar salwar suit me MAA vasant rutu ki jeeti jaagti pratik lag rahi thi...

thakaan ka naamonishan nahi tha unke chehre par aur iske upar unki sanjeevani smile jisne mere andar ek naya jeevan sa fookh diya tha...

MAA ki baaton ke beech mai unke piche pahunch chuka tha jiske baad piche se kisi chote bache ki tarah unhe pakad jhul sa gaya mai...


MAA-arre kya kar raha hai...nahaya nahi aur chipak gaya...

kadh mere se zyada ho chuka hai phir bhi gayi nahi tere bachpan ki aadat...

MAI-i am fine MAA...

yahi toh sunana tha MAA ko...


isiliye halke smile ke beech unka bhi stress jaata raha tha...


MAA-pakka...!!!

MAI-100 percent...

MAA-jaa phir... take a shower...wakayi bhook lagi hai mujhe...

MAI-10 minutes,max...

MAA-15 lagenge...


turant room ki taraf badh chuka tha mai ki tabhi piche se MAA ki baat jo bohot dheeme boli thi unhone,suni maine par rooka nahi mai...

room me enter karne ke agle hi minute bathroom me ghus chuka tha mai...

HAAAAA....SSSHHHHH...

shower se nikle thande paani ki bundo ne jaise hi chhua mere sharir ko,bahar me saath saath andar se bhi thanda hote chala gaya mai...

aur koi din hota toh aadhe ghante se pehle bathroom se nikalna nahi tha mujhe par aaj nahi...

10 minute me ready hokar MAA ke prediction ko GALATH jo saabit karna tha mujhe...

5 minute me hi bathroom se bahar aa chuka tha mai aur 9 minutes me hi i was all ready to go out...

hand watch par apni jeet dekh door knob touch kiya hi tha maine ki tabhi kuch flash sa hua mere dimag me jiske baad kadam mere wapas ho gaye...

Almirah kholi maine aur inside locker open kar uske andar rakhi ek CHEEZ nikaal li...

ek DIARY...

normal din ki aap beeti likhne waali diary nahi thi ye...

naahi kisi aur obvious chiz waali notebook thi...

maine aaj tak jo kuch bhi sikha hai,mera har hunar...

mere har hunar ka kaath aur us kaath par chalne waala daav...matlab mere astitv ke neev ka har inch do jeeven deyi pattharon par tika hua tha...

pehli thi meri MAA aur dusri thi ye diary jo mere pitah ne mujhe di thi...

iske andar band tha unka har manovagyanik hunar...

ek aisa hunar jo har sharirik aur mansik shamata ko kayi guna badha deta hai...

ye DIARY mere pitah ke experiences me use hone waali soch se nikle natijon ka asar tha...har SAHI,har GALATH jo woh mujhe sikhana chahte the,isme likha tha unhone...

agar ek vaakya me kahun toh agar MAA ne mere sharir ko kaabil banaya tha toh mere pitah ke is diary ne meri aatma tak ko woh mazbooti di thi jisse mai bade se bade negative aandhiyon ke beech bhi kisi chattan ki tarah adig reh sakun...

aise psychological advises ki kya zaroorat thi,ye toh kabhi pata nahi chala mujhe par mere high temperature aur hot mental piece ke liye hamesha ram baan ki tarah kaam kiya tha is diary ne isiliye details par kabhi gaya nahi mai...

anyways,us badi aur moti diary ko pakad uske first page par flip kiya maine jispar us puri dairy ka SARANSH likha hua tha...


"BE THE WRONG THAT MAKES EVERYTHING RIGHT"...


diary kholne ke baad har baar us line ko zaroor padhta tha mai...

flip karte hue finally us page par pahuncha mai jiske beech me pen fasayi hui thi maine aur jispar ek ke baad ek chaar short headings diye gaye the...


1ST-UNTIL NEEDED, DON'T SHOW OFF YOUR TALENTS...

first heading par likhe nirdesh ka paalan toh mai bachpan se karta aa raha tha...

kabhi apna koi bhi hunar sabke saamne khul kar dikhaya jo nahi...

2ND-KNOW YOUR ENEMIES BETTER THEN YOUR FRIENDS...

DUSHYANT,NAMITH,ROHAN,ROUNAK,ARIF REZA,USKA BHAI...

is heading me likhe nirdesh ko padhte waqt un aur jaise sabke faces aur unke saath meri bhindat ghum gayi thi mere dimag me...

3RD-REALITY IS A FLEETING THING...

(aksar jo dikhta hai woh hota nahi aur jo hota hai woh hum dekhna nahi chahte)

is heading ko padhte waqt mere aankhon ke saamne KHANAK waala incident ghum gaya tha...

4TH-EVEN IN THE MATTERS OF HEART, DON'T LEAVE YOUR BRAIN BEHIND...

(dil ke maamlon me bhi dimag piche mat chhodna)

is final heading ko padhte waqt ek smile naach uthi thi mere face par...

abhi abhi issi situation se jo guzra tha mai...

khair,un chaar headings ke baad ek ek box tha...un chaar boxes me se teen par right tick kiya hua tha maine jiska matlab tha ki job done correctly...

pen utha us final box par bhi tik kar diya maine...


MAI-pata nahi kis chiz ke liye ready kar rahe hain aap mujhe but jo bhi hai,i hope i am doing good dad...!!!

diary band kar usse wapas almirah me rakh palath gaya mai...

ek baar phir door knob open karne ko hua mai par tabhi meri nazar padi apne kalayi par bandhi watch par jiske hisaab se 15 minutes guzar chuke the...


MAI-wow...MAA,ek baar phir...sahi ho gayi aap aur mai GALATH...





2ND OF JANUARY,SIRIUS

SIRIUS-THE SPORTS MEET





"FOR ALL GOOD THOUGHTS AND FINE DESIRES WHICH HAVE COME TO OUR MINDS. O GOD, GRANT THAT THESE MAY NOT BE UNFRUITFUL IN US. MAY GOD BLESS MY MOTHER, GOD BLESS MY FATHER, GOD BLESS MY SISTERS, GOD BLESS MY BROTHERS, GOD BLESS MY TEACHERS, GOD BLESS ME AND MAKE ME A GOOD CHILD.

AMEN...

gigantic digital screens ke beech aaj hamare school ke indoor nahi balki outdoor track stadium me ho rahe essembly me gunj uthi thi 2,680 students ke mooh se nikal rahe LORD'S PRAYER ki awaaz...

dekhte hi banta tha aaj SIRIUS ka nazara...

100 not out likhi hui ek vishaal rangoli campus ground me banayi gayi thi jiska aakar 200 feet se bhi zyada tha...

colour full balloons ko pure school me 200 feet hawa me upar lagaya gaya tha...

abhi essembly shuru thi isiliye mahoul shaant tha warna aaj shuru se hi school ke chaaron bhaag D.J ki awaaz se lagatar gunj rahe the...

GREEN, RED, ORANGE,WHITE... matlab GROW...hamare school ke chaar houses jinme use hone waale colours sabhi students ne aaj pehne hue the...

un colourful kapdon me students bhi chalte firte rangoli jaise hi lag rahe the...

har movement ko capture karne ke liye drone camaras upar hawa me ud rahe the...

stage mid ground lagaya gaya tha jispar is waqt PRINCI ke saath pura teaching aur non teaching staff moujud tha...

ye toh tha SIRIUS ka scene par aise bi milte hi milte julte scenes is waqt DEHRADUN ke har naami school ke the aur woh sabhi school students aur unke faculties abhi digital screens ke through hume hi dekh rahe the...

ek ke baad ek sabhi schools ka essembly hua tha aaj aur kyunki SIRIUS is event ka mezbaan tha isiliye hamari essembly last me ho rahi thi...

jis bhi school ki essembly hoti thi,baaki sabhi schools me lage digitals screens par bas ussi school ki live futtege dikhayi jaati thi...

aise me jab baari hamare school ki aayi toh live screen par SIRIUS ka mahoul,yahan ki saaj sajja dekh sabhi school's ki aankhein badi ho gayi thi...

waise saje toh aaj sabhi schools the par SIRIUS toh SIRIUS hi tha...the best in everything...

khair, LORD'S PRAYER ho chuka tha jiska matlab tha ki ab baari thi PLEDGE ki...

DHAMMM...

DRUM ki ek tez awaaz hui jiske agle hi pal saabhi students ka right hand oth lene waali mudra me half uth chuka tha...

"India is my country and all Indians are my brothers and sisters.
I love my country and I am proud of its rich and varied heritage.
I shall always strive to be worthy of it.
I shall give my parents, teachers, and all elders respect and treat everyone with courtesy.
To my country and my people, I pledge my devotion. In their well-being and prosperity alone, lies my happiness."

JAIHIND...

DHAMM...

JAIHIND ke naare se gunj utha tha pura school jiske agle hi pal el baar phir baji drum aur sabhi ke uthe haath neeche ho gaye...

ab bas baaki tha national anthem jispar savdhaan hone ke liye students"TIME FOR THE NATIONAL ANTHEM",PRINCI ki ye statement aur ek baar phir drum ki awaaz ka wait karne lage par for there surprise,aaj kuch alag hone waala tha...

SIRIUS....VIIIIIIIISHRAM...

THATTTTT..

SIRIUS....SAAAAAAVDHAAN...

THATTTT...

two hand distances me aaj sabhi lines bani thi par ye saari lines left aur right me bati hui thi...

beech me ek 10 feet chowda gap banaya gaya tha aur ussi gap ke me students line ke end se ubhri thi ye tez mike awaaz joki thi school champ SAMEER CHANDER ki...

is sudden change aur most importantly,awaaz me bataye command ko sun hadbadaye toh sabhi students the par is hadbadahat ne kisike bhi response time me fark nahi laaya tha...

SAMEER ki awaaz gunjte hi sabhi students turant pure garmjoshi ke saath apne apne pair knee hieght tak uthate hue vishram position me aa gaye the aur agle ho pal savdhaan command ke gunjte hi un sabke pair ek baar phir uthe aur seena chowda karne ke beech pura SIRIUS bilkul ek awaaz aur time par savdhaan position me aa chuka tha...


SAMEER-SIRIUS KADAMTAAL KAREGAAAAA KADAMMMMMTAAL....

DHADATATADHADATATADHAM...


SAMEER ke next command ke beech jahan ek taraf sabhi students bilkul perfectly KADAMTAAL karna shuru kar chuke the wahin kisi commander in chief ki tarah jacket pehna SAMEER left haath se marchpast swing kar aur right hand se jisme usne ek swift as in patli blade waali sword pakdi thi,usse badi lay me ghumata hua aage stage ki taraf marchpast karta hua jaane laga...

sabhi students ka KADAMTAAL joki bilkul ek sink me tha aur un sabke beech se kisi daksh high rank soldier ki tarah marchpast kar aage badh rahe SAM ko digital screens par dekh sabhi schools ke students aur faculties ki aankhein ek baar phir badi ho chuki thi...

waise toh marchpast ki pratha DEHRADUN ke har school me thi...15th august aur 26th January ko sabhi schools apne apne schools me marchpast karte hi the par SIRIUS ke level ke aas paas bhi nahi the woh sab...

suna tha sabhi school's ne ki SIRIUS ka marchpast army level ka hota hai aur aaj ye sach woh sab sakhshaat dekh rahe the...

waise hairani ki wajah ek aur bhi thi jo un sabhi schools ke saath jaise jaise SAMEER aage badh raha tha, SIRIUS me bhi hone lagi thi...

aur woh wajah...

MR JAIDEN CHOWDHARY...

12 fully armed guards joki unhe piche se ghere hue the, SAMEER ke piche dheere dheere badh rahe the uske dad MR JAIDEN CHOWDHARY...


GREY COLOURED STUART HUGUS DIAMOND EDITION'S THREE PIECE SUIT(WORTH 7 AND A HALF MILLION DOLLAR)

CHOPARDS JANUS WATCH (WORTH 3 AND A HALF LAKH POUNDS)

BLACK TESTONI ITALIAN HANDCRAFTED SHOES (WORTH 50 THOUSAND DOLLARS)...


overall aise accessories jinki keemet itni thi jitna ek upper middle class banda bhi apni puri zindagi me kama nahi sakta tha,apne sharir par odhe SAMEER ke piche piche chalte hue aa rahe the MR JAIDEN CHOWDHARY...

kadh 6.2,bulky but athletic body, complexion bright,sharp black eyes jinme bhaampne waale ko zamaane bhar ka kaminapan saaf dikh jaaye,43 ki umar me bhi 33 se zyada nahi...

sidhe aur saaf shabdon me ek atti prabhavshaali vyaktitv ke maalik the MR JAIDEN CHOWDHARY...

kadam taal kar rahe students ki gardan waise toh sidhi hi thi par apni apni nazar ko JAIDEN CHOWDHARY ki taraf ghumane ke baad unse hata nahi paa rahe the woh sab...

43 ki umar me bhi school ke senior girls ke first sight crush banane lage the JAIDEN CHOWDHARY...

ground ke chaaron taraf stands lage hue the jinme ex students ke saath saath parents aur kuch SIRIUS ke college division students bhi moujud the jo yahan school me specifically apne idol JAIDEN CHOWDHARY ko dekhne aaye the...

aur ab jab woh sabke beech the toh stands par baithe zyada tar logon ke mobiles JAIDEN CHOWDHARY ko capture karne ke liye bahar nikal chuke the...

wahin in sab ke beech MR JAIDEN CHOWDHARY apne bete ke piche jo is waqt ek tarah se ang rakhshak tha unka,bade proudly aage badh rahe the...

baap aur bete,dono ke liye hi ye moment kaafi proud tha jisse is waqt directly aur camaras ke through pura DEHRADUN ya phir ye kahun ki saara Uttarakhand dekh raha tha...

marchpast karte hue SAMEER apne class ke baaju se guzarne laga tha...

aisa hote waqt uski nazar ek second ke liye apne group ki taraf gayi thi...

KHANAK,RASHI,ANJALI,NAISHA,EKPREET,RAJAT,NITS aur SONU ki nazar bhi is waqt SAM par hi thi...

par jahan kabhi SAM ko yun centre of attraction bane dekh un sabko proud feel hota tha wahin aaj unki nazaron me uske liye sirf negativity dikh rahi thi...

is baat ka bura toh laga tha SAM ko par zyada taklif usse SANVY aur apni behen DIMPLE ko dekh kar hui thi jo sidhe dekh bas KADAMTAAL kiye jaa rahe the...

jahan ek taraf DIMPLE ka face straight tha par usme chhayi udaasi saaf dikh rahi thi wahin SANVY bilkul stone face liye khada tha...

ek nazar un dono ko dekh apni nazarein saamne kar li thi SAM ne...

DHAMDHAM...DHAMDHAM...

THAKKKKK...

jaise hi SAMEER stage ke saamne pahuncha aur MR JAIDEN CHOWDHARY usse cross karte hue stage par chadh PRINCI ke paas pahunch students ko face karte hue khade ho gaye,toh baja KADAMTAAL break karne waala double beat jiske baad theek 8 KADAMTAAL steps par sabhi students ke kadam wapas savdhaan position me aa chuke the...

JAIDEN CHOWDHARY-nice...

ye sudden marchpast ka idea JAIDEN CHOWDHARY ka hi tha aur is idea par students ke performance se wakayi khush hue the woh...

wahin JAIDEN CHOWDHARY ka one word praise PRINCI ne bhi sun liya tha aur isiliye ek proud smile naach uthi thi unke face par...

DHAMM...

DHAMM...

national anthem alert beat tha first drum roll aur second beat anthem start karne ka tha jiske bajte hi sabhi students, faculties attention mudra me anthem gaana start kar chuke the...

stands par baithe sabhi guests bhi attention position me khade the and even JAIDEN CHOWDHARY ke bodyguards bhi joki is waqt neeche se stage ko chaaron taraf se ghere hue the, apne haathon me holded guns neeche kar liya tha un sabne...

exactly 52 seconds hote hote hamara national anthem pura gaa liya tha sabhi ne...

anthem pura hote hi normally at ease position me aa jaate the sabhi students par kyunki aaj sabke saamne stage par MR JAIDEN CHOWDHARY the isiliye kisi ne bhi apna attention position toda nahi tha...


PRINCI-parents, teachers,my dear students and everyone who is digitally connected with us today...

jaisa ki aap sabko pata hai ki SIRIUS ka sports meet exactly 4 dino tak chalta hai aur kyunki is baar ye sports meet interschool level ka hone waala hai isiliye participate karne waale har school ka sports meet schedule bhi itne hi duration ka hoga...

sabhi school se har sport event ke first aane waale participant final as in 4th day me yahan, SIRIUS me ek dusre ke saath participate karenge...

but the most important race,the 400 metres track ka interschool level final race aaj hi conduct kiya jaayega...

infact,aaj har school ka first event 400 metres hi rakha gaya hai jiske pura hote hi sabhi schools ke winners turant SIRIUS apne final interschool level race ke liye niklenge...

hamare guest of honour aaj is aitihaasik race ko witness karne hi aaye hain...

aur aap sabko ye jaankar behadh khushi hogi ki sports meet ke aakhri din bhi yeh yahan aane moujud rehne hain...

for the second most important event,200 into four relay race but more importantly, to crown the champion...

and now,to declare this historical sports meet open but more importantly,to talk and motivate you all,i would like to request aur special guest of honour MR JAIDEN CHOWDHARY to take the center stage and shower his wisdom words upon us all...

please sir...

PRINCI halka piche hath gayi thi jiske baad apna PERSOL 714 limited edition goggles pehen sir halka shake kar smile dete hue PRINCI ki jagah mike ke saamne khade ho gaye MR JAIDEN CHOWDHARY...


JAIDEN-seriously RANJANA MA'AM...!!!wisdom words...for you too...

hahaha...aisa lag raha hai jaise samandar paani maang raha ho...

aap sabko apne PRINCIPAL MRS,RANJANA MA'AM ka basic info toh i think pata hi hoga...

oxford return hain ye... literature and most importantly,social psychology me masters kiya hain inhone but aap me se bohoton ko inki kuch bohot hi important real achievements ke baare me pata nahi hoga...

psychology me international contribution ke liye kuch khaas awards bhi hote hain...

Outstanding Graduate in Psychology award

Psychology Research Apprenticeship award

Psychology Student Travel award

Wawokiya Service award

ye awards kisi bhi physiologist ke liye highest honor hote hain joki unhe perfect human behavior analysation ki wajah se milte hain...

aise analysation ko samjhaane ka sabse acha shroth hote hain physiological books...

some of them are...

"THE ART OF STUDYING MINDS"...

"EMOTIONAL BRILLIANCE"...

"POWER OF A QUITE MIND"...

and my personal favourite...

BLACK PSYCHOLOGY...SECRETS & MANIPULATION...

ye saare books physiology ke kshetra me best selling books hain aur inhe ek hi author ne likha hai...

R.M...

yahi signature likha hai in sabhi books ke neeche...jaante hain ye R.M kaun hain...???

aapki apni PRINCIPAL,MRS, RANJANA MATTHEWS...

sabhi excited the JAIDEN CHOWDHARY ko sunane ke liye...ek aisa naam jisne puri duniya me apna naam chhoda hua tha...

par apni PRINCI ke in asal world class achievements jinke baare me wakayi kisi bhi student aur teacher ko maalum nahi tha,jaankar sabhi ki aankhein badi ho gayi thi...

digital screens par bhi JAIDEN CHOWDHARY ki baat sun rahe sabhi log hadh se zyada hairan ho chuke the...

aise bohot se schools ke PRINCI the jo jalte the RANJANA MATTHEWS se aur kisi bhi tarah uski barabari karna chahte the par aaj hue revelation ko sun woh level up karne ki un sabki chaahat unke pichwade me ghus chuki thi...

wahin international level par renowned hone ke baawjud jis simplicity ka chaadar PRINCI odhe rakhti thi,woh aaj bin sikhaye hi sikha di thi sabko unhone...


JAIDEN-anyways, kabhi mai bhi aap sabki tarah jahan aap sab khade hain,khada hua karta tha is ummid me ki boring speeches jaldi se khatm ho aur sports event start ho jaaye...

isiliye aap sab ka zyada waqt nahi lunga mai...

bohot saal pehle jab mai yahan student tha toh theek aaj jaisa hi ek sport meet hua tha...

jisme DEHRADUN ke best sport person ko direct NATIONAL QUALIFIER ka inaam milne waala tha aur ye award mujhe hi mila tha...

bohot log hain jo us achievement ko kaafi maankar rook jaate, satisfied feel karte but not me...

mere liye woh achievement mahaz pehla step tha...the first step to climb all the stairs of success...

and i climbed all those stairs and got many more rewards on the way...

unme se zyadatar awards ko toh aap sab google me mere wikipedia par bhi padh sakte ho but ek aisi achievement bhi hai jo wahan nahi likhi par aap sab us achievement ko lagbhagh har din hi padhte aaye ho...

JAIDEN CHOWDHARY ki baat sun sabhi students ke faces par confusing expressions dikhne lage the joki laazmi bhi tha...

JAIDEN CHOWDHARY ki achievement woh sab lagbhagh har roz padhte the aur unhe hi pata nahi tha...

aise bhala kaise ho sakta tha...!!!

wahin JAIDEN CHOWDHARY bhi students reaction ko dekh smile karne lage the...


JAIDEN-"THE PLACE WHERE CHAMPIONS ARE ELEVATED TO BECOME LEGENDS"....

aapke school ka slogan pehle ye nahi tha...

WE SOAR WITH PRIDE...hamare time me slogan ye hua karta tha...

abhi jo slogan hai,ye mere us sports meet ko jeetne ke baad usme mile reward ko capitalize kar jab maine nationals me bhi apne school ka flag lehraya tha toh us first national level victory ko celebrate karte hue school ke slogan ko change kiya gaya tha...

aaj ek baar phir aisa kuch karne ka mouka aao sabko mil raha hai..

i am not saying ki aap me se koi yahan jeetne ke baad agar nationals bhi jeet jaaye toh slogan ek baar phir badak jaayega...

I don't think so but us jeet ka impact utna hi strong hoga jitna strong message us slogan me bataya gaya hai...

aur ye mai sirf hamare hi nahi balki pure DEHRADUN ke sabhi school ke har ek student liye keh raha hun...

lastly,jo bhi yahan jeete,bas itna yaad rakhna...

ACHIEVERS NEVER COMPROMISE...

ye aakhri messenge JAIDEN CHOWDHARY ne apne bete ko dekhte hue kahi thi jiske baad...


JAIDEN-and now without any further ado...

I DECLARE THIS MEMORABLE SPORTS MEET OPEN...

LET'S START THE SHOW...

BOOMMMM...BOOOMMM....BOOOMMM...


JAIDEN CHOWDHARY ke announce karte hi ground ke chaaton taraf tez aatishbaazi hone lagi thi aur JAIDEN CHOWDHARY ki speech sun josh se bhare sabhi students unhi aatishbaaziyon ko takkar dete hue loud sound clapping karne lage the...


NITS-badi badi baatein,bheeng maang ke khaate...

hath louda...achievement ke baare me sabko bataya par character aur sahi GALATH ke baare me apne bacchon ko batana bhul gaya...

ghante ka acheiver hai ye...

MAI-apni khunnas me sach ko jhuth me toh nahi badal sakte...

12 multinational companies jinse 75 thousand crores ka net bank balance banaya...

ExxonMobil,united health group,mercadolibre,tcs aur amazon me 10 thousand crore worth shares...

6 mahine pehle petroleos de venezuela oil mines me 15 percent ki partnership haasil ki, resulting 75 crores sheer extra profit per day...

achiever toh hai bhai...

haan, character nahi hai par apne ko uske aur usse related logon se hi matlab naa hai toh achar daalenge vyavahar ka...

yahan bore lag raha hai ab... canteen me hun,race ke baad aa jaaiyo wahin...


NITS ke taunt ke baad mere jawab se just pehle DIMPLE hamari taraf ya phir ye kahun ki meri taraf aa rahi thi ki tabhi apne dad ka financial detailed calculation mere mooh se sun halki si shock hui woh par phir meri information capability ko yaad kar dimag jhatak wapas aage badhne lagi hi thi woh par lekin character ko lekar jo aakhir me kaha maine,woh sun kadam rook gaye the uske...

wahin apni baat bol canteen taraf badh gaya tha mai...


MUJHE BAS EK BAAT ABHI TAK SAMAJH NAHI AAYI...???

mujhe piche se jaata hue dekhne ke beech RASHI ne kahi thi ye baat...


SONU -yahi nnaa kki itni pplaning kkarne ki aakhir SSAM kko zaroorat hi kkya thi...???

RASHI-actually...i mean,ye sab usne aaj jeetne ke liye kiya tha par jeet toh waise bhi raha hi tha...he is the fastest...

hahahahaha....right!!!


RASHI ki baat sun NITS,SONU aur ANJALI teeno hi has diye the aur unhe yun khilli udaane waali hasi haste dekh RASHI, KHANAK,NAISHA ke saath saath EKPREET aur RAJAT bhi hairan ho gaye the...

KHANAK-what's so funny...!!!

ANJALI-funny hi toh hai... simple logic bhi laga nahi paa rahe tum sab...

SAM agar best hota toh itna parpanch karta hi kyun...!!!

NITS-yup...SAM is no match Infront of SANVY...

RASHI-what...!!!???

SONU-haan...SAM kki speed DIMPLE jjitni hi hai aur hhumne SANVY kko usse easily hharate dekha hai...

ab ttum hi bbatao kki jab DIMPLE kko SANVY easily hara ddeta hai ttoh SAM kkahan tikega uske aage...!!!

RASHI-aisa hai toh phir aaj SANVY kyun race me participate nahi kar raha...itni golden opportunity hai uske saamne...

he can show himself as the best athlete of DEHRADUN aur SAM ke saare manipulations aur cheat ka bhi jawab de sakta hai woh...

ANJALI-tum SANVY ko samajh hi nahi paayi...

show himself as the best...!!!jo show off kare woh SANVY nahi...

aaj tak usne kisi race me hissa nahi liya toh ab kyun lega bhala...!!!

rahi baat SAM se badla lene ki toh agar aisa intention SANVY ka hota toh aaj SAM yahan pahunch bhi nahi pata...

NITS-SANVY ne dosti bhale hi tod di hai SAM se par usse harakar sabke saamne humiliate nahi karega woh...

KHANAK-but why...!!!SAM champ tag ke layak toh hai hi nahi, phir kyun SANVY...???

ANJALI-i think he has promised SAM...kyunki ek promise hi hai jo SANVY kabhi nahi todta...

andaza sahi laga liye tha ANJALI ne...

NITS-haan,yahi baat hi sakti hai...kyunki SAM ke saare planning plotting se ek baat toh clear hi hai that woh that he knew ki SANVY ia better than him...

aur is baat ki assurance toh sirf tabhi ho sakti hai jab kabhi race kiya ho un dono ne jisme SANVY ne usse beat kar diya hoga...

SONU-rright...ppar race haarne ppar SAM ko promise kkiya hoga SANVY nne ki ssabke saamne wahi SIRIUS kka champ rrahega...

SANVY ki sangat ka hi asar tha ye jo uske sabhi kareebi doston ne situation ke according saari baat sach predict ki thi...

wahin un teeno ki baat me baaki sabko bhi wazan lagne laga tha aur isiliye...


KHANAK-kya hai ye SANVY yaar...!!!samandar hai pura...jeetni gehrayi me bhi chale jaao,utna aur gehra hota chala jaata hai...

SAB-true that...

DHAAAA...


ek dusre se baat kar woh sab bhi canteen ki taraf badh hi rahe the ki tabhi pure ground me starter pistol ki firing gunj uthi...

jaisa ki PRINCI ne bataya tha...400 metres track ka school level aur interschool level dono hi aaj hone waale the...

school level par first race ki fire thi ye jiske shoot hote hi SAM aur baaki sabhi participants ne apni puri jaan lagakar doudna start kar diya tha...

aur kuch der baad natija wahi hua jo sabne pehle hi anticipate kar liya tha...

lagbhagh 20 metres se SAM ne 400 metres ka ye first round jeet liya tha...

first round isiliye kyunki is race ke liye participants bohot zyada the jinhe kul 3 baari me doudaya jaane waala tha...

phir finally un teen baariyon ke first aur second position me aane waale students ek baar phir best racer ke liye final round me doudne waale the...

same chiz girls ke saath bhi thi...SAM ke baad girls ka hi 400 metres ka run tha jisme hamare hi class par B section se ek ladki ne baazi maar li thi...

same chiz second round me bhi hui jab B section se hi ek ladki first aayi thi aur isiliye stands par baithe B section ke students A waalon ka mazak udaa rahe the...

unhi ke beech akele sunya ko ghurte baithi thi DIMPLE jisse naa toh race se koi matlab tha aur naahi kisi aur chiz se...

dusri taraf winners ke liye alag se dug outs bane the jinme baitha SAM apni behen ko hi dekh raha tha...

usse bohot bura feel ho raha tha par itna sab hone ke baad usme himmat naa thi ki woh jaakar DIMPLE se baat kare...

wahin hamare school ke race ke saath sabki nigahen digital screens par bhi tiki thi jahan same 400 metres ka race hi ho raha tha...

baaki school ke racers aur winners par toh kisi ka dhyan nahi tha par PRINCE waale digital screen par sabki nazarein gadi hui thi...

PARAG aur CHARVI jo doud rahe the wahan...

PARAG was very fast par phir bhi uski kisi ko koi khaas tention nahi thi par CHARVI jis speed se doudi thi,hamare school se ab tak ki koi bhi first position holder ki speed utni nahi thi...

ye chiz baaki sabki tarah NITS and group ne bhi gour ki thi isiliye ek dusre ko dekhne lage the sab...

ab baat SIRIUS ke pride ki thi jisse apne personal man mutaav ke liye compromise nahi kar sakte the woh sab...

aur isiliye...

ANJALI-isse atonement ya prayaschit kehti ho tum...


DIMPLE jiska sir filhal neeche tha,ANJALI ki awaaz sun turant uski taraf uth tha...

ek feeki smile naach uthi thi DIMPLE ke face par...

DIMPLE-atonement nahi, punishment that i deserve...

ANJALI-what about our school...???

itna sab kuch hone ke baad bhi kal SANVY ki aankhon me dekh kar kaha tha tumne ki you love him...

SANVY yahan race sirf isiliye hi kar nahi raha kyunki he wants your brother to win...

iski ek aur wajah ye bhi hai ki SAM ko aur koi hara nahi sakta which means that the champ title will remain within our school...

agar aisa nahi hota toh SANVY abhi yahan track par hota kyunki kuch bhi ho jaaye, apne school ko haarte hue nahi dekh sakta woh...

in manipulative time me jitna bhi waqt guzara hai tumne SANVY ke saath,apne school se loyalty toh kamsekam sikhi ho hogi usse...

time to implify that knowledge babes...

apni baat bol palath kar aage badh gayi thi ANJALI par phir thoda aage badhne ke baad rooki woh aur bina palte hi...


ANJALI-ye galathfehmi mat paalna ki agar race jeet li tumne,school ko uska champ tag retain karwa diya toh SANVY maag kar dega tumhe...

apni baat bol group ke paas pahunchi hi thi ANJALI ki tabhi face par uske ek smile naach uthi...

REASON...

DIMPLE...DIMPLE..
DIMPLE...DIMPLE....

race track par pahunch chuki thi DIMPLE aur aisa hote hi students ke beech CHARVI ke speed ko dekh jo nervousness aayi thi,woh gayab ho gayi...

they all started cheering for DIMPLE aur guzarte palon ke saath kam hone ke bajaye badh gayi thi cheering kyunki race jo record speed se jeet liya tha DIMPLE ne...

uske race jeethathe hi jahan ek taraf tez hooting hone lagi thi wahin dusri taraf DIMPLE ki nazarein sirf SANVY ko hi dhund rahi thi par jab woh nahi dikha toh...

DIMPLE-jaanti hun race kitne hi jeet jaaun, par tumhe ab dobara jeetna mushkil hai...

par ek tum hi toh ho jisse DIMPLE ko haarne se taklif nahi balki khushi milti hai...


i love you SANVY...

NOW, TOMORROW,FOR EVER...


WOWOWOWOWOOOOOOOOO....


agle 1 ghante me 400 metres ke boys aur girls,dono ke hi interschool level race pure ho chuke the and as expected, girls me DIMPLE aur boys me SAMEER ye race jeet chuke the...

aur koi waqt hota toh PARAG aur CHARVI dono hi ye haar pacha nahi paate aur kuch ulta pulta karne ka zaroor sochte par kuch dino pehle ki gayi SANVY ki harkat se itne zyada khoufzada the dono ki race pura hote hi school se nikal chuke the...


IN CANTEEN:-

SANVY, PRINCIPAL MA'AM BULA RAHI HAIN TUMHE...


canteen me ek chair par baitha mai diet coke ka last sip gatak hi raha tha ki tabhi peon aaya jiski info ko sun mai wapas track ground ki taraf badh gaya aur ye dekh...


PEON-arre stadium me nahi,apne office me hain woh...

PEON ki baat sun smile kar sir shake karte hue PRINCI ki office ke taraf badh gaya mai...

KNOCK,KNOCK...

MAI-may i come in...

YES,YOU MAY...


PRINCI ki office ka door khula hua tha aur unka seat turned around tha jisse dekh knock kiya tha maine par reply saamne se nahi balki side me jahan araam daayak couch laga hua tha,wahan se aaya...

ye aur koi nahi,MR JAIDEN CHOWDHARY the jo goggles ke piche apni sharp nazaron se mujhe dekh kam observe zyada kar rahe the...

wahin unhe dekh mai sidhe unke saamne jaakar khada ho gaya...


JAIDEN-interesting...!!! mujhe achanak dekh kar bhi koi shocking expression nahi aaya tumhare face par... were you expecting me...!!!???

MAI-i was expecting someone who is not our PRINCIPAL...

JAIDEN-and why do you say that...???

MAI-interschool 400 metres ka girls race abhi abhi pura hua hai...is time sabhi schools ke participants ko congratulate kar rahi hongi ma'am...

par mujhe yahan bulaya gaya woh bhi PRINCI ke naam par...so...


JAIDEN-so obviously kisi aur ne aisa kiya hoga...good...

shock na lagna toh samajh aata hai par nervousness...!!! first time JAIDEN CHOWDHARY ke saamne khade ho tum...aren't you nervous...


MAI-same question mai bhi puch sakta hun sir...mere dad ke saamne khade hote waqt kya aap nervous feel karte the...???


ek international figure the JAIDEN CHOWDHARY..saamne aane se mana kiya hua tha unhone par PRINCI ki office ke outer circle ko gher kar khadi thi is waqt unki ALLIED UNIVERSAL security (3rd best security agency in the world)
aur aise me sidhe sidhe taunt kiya tha maine JAIDEN CHOWDHARY ko...

aur koi hota toh uttejit hokar apni aukaad aur personality ki dhaak dena shuru kar chuka tha but not JAIDEN CHOWDHARY...

he just smiled at me aur...


JAIDEN-wow...you are a zerox of your father...haazir jawabi tumhari bilkul tumhare dad ki tarah hi hai...

waise sab kuch zyada hi tha tumhare dad ka...intelligence, smartness, physical abilities and mental endurance...sabkuch par unfortunately jiski sabse zyada zaroorat thi,woh hi uske hisse me kam padh gayi...

LIFE...i hope ki tumhare hisse me iski koi kami nahi hogi...

HOPE KI JAGAH WISH LAGATE TOH ZYADA ACHA LAGTA...


PRINCI thi ye jo sidhe mere paas aakar khadi ho gayi...

wahin PRINCI ki baat sun halka sa has diye JAIDEN CHOWDHARY...

PRINCI-toh SANVEER se mil liye aap...

JAIDEN CHOWDHARY-milna toh tha hi...SAM se kaafi suna jo tha iske baare me...

but i have to say,i am a bit disappointed...

PRINCI-really...???how...!!!

JAIDEN-suraj ko suraj isiliye nahi bola jaata kyunki woh chamakta hai...

isiliye bola jaata hai kyunki uski chamak puri duniya dekhti hai...

meri tarah...aur aaj SAM ki tarah...

like father like son...

haan,tumhare dad ne haraya tha mujhe but kya faayda... bohot limited logon ko ye baat pata hai aur agar us jeet ko claim karna bhi chaaho toh duniya mazak udaa degi kyunki meri jeet duniya ne dekhi hai...

suraj ki tarah sabke saamne mai chamka hun,tumhare dad nahi...

JAIDEN CHOWDHARY ke statements ko sun ek baar PRINCI ko dekha mai jispar haan me sir hilaya unhone...

MAI-suraj apne dum par chamakta hai...he doesn't need to do any manipulation...

naahi uski chamak udhaar ki hoti hai...

par SAM needed that manipulation...aur uski chamak bhi meri di hui udhaar hai usse...

ye kaisa suraj hua bhala...!!!???

haan,sabke saamne naa mai chamka hun naa mere dad chamke the par ye andhera kaale suraj se toh acha hi hai...

JAIDEN CHOWDHARY-suraj kabhi kaala nahi hota...

badalon me chuppa bhi ho woh tab bhi itni roshni toh paida kar
hi deta hai ki log uski baisakhi bana apna raasta dhund paate hain...

par tum nahi samjhoge...and i can totally understand...

it's all about genes...


CHOWDHARY surname me shuru se hi kisi bhi keemet par jeetna likha hai aur AHARYA surname me promises,dignity,moral aur love jaise stupid dakiyanusi sabdon ki wajah se haarna...

now if you will excuse me...MRS MATTHEWS...i will take your leave now...saturday ko milte hain...

apni baat bol PRINCI ke office se nikal gaye JAIDEN CHOWDHARY...


MAI-AHARYA...!!!bas mere surname ko beech me nahi laana tha aapko...





AT EVENING:-

PLACE-H.M.C.A STADIUM




SPEED ACHI THI AAJ TUMHARI...


apne dad JAIDEN CHOWDHARY ke ache remark ke baad bhi face par khaas khushi nahi dikhayi di thi SAM ke...

filhal dopahar ke 2 baj rahe the...aaj ka sports session 1 ghante pehle hi pura hua tha par jahan baaki students apne apne ghar par rest kar rahe the wahin SAM aur DIMPLE apne dad ke saath yahan H.M.C.A private stadium ke beech khade the...

aaj shaam ko apne private jet me nikal jaane waale the JAIDEN CHOWDHARY aur wapsi unki sports meet ke aakhri din ki thi isiliye jaane se pehle sports ke dusre sabse bade event,200 into 4 relay ki tips aur practice ke liye apne bachhon ke saath woh yahan moujud the...


SAM-mere age me aapki jo speed thi,usse toh mai piche hi hun naa dad...

JAIDEN-craving attitude... it's good... abhi nahi hai toh kya,i am sure ki aage chalkar zaroor hogi...

bottom line is i am happy with you...but ye baat tumhare liye nahi boli jaa sakti kiddo...

DIMPLE se mukhatib the JAIDEN CHOWDHARY jispar kuch kehne ko hui woh par tabhi...

JAIDEN-save your excuses kiddo...mere saamne kaam nahi aayenge...

well i know the reason...you have fell in love with SANVEER aur ab jab usse reality maalum hai,he has dumped you...

dil dimag ka dushman hota hai kiddo jiska ek side effect woh negative feeling bhi jai jisse filhal guzar rahi ho tum...

jitna jaldi ho sake,get over it..
waise bhi you and that boy,koi future tha bhi nahi kabhi tum dono ka...

move on and i think we should move on too...4 baje tak delhi ke liye nikalna hai mujhe...

so relay practice shuru karte hain...

SAM,ek 100 metres ka curved sprint karo...common, move it fast...

agle hi pal track ki taraf badh chuka tha SAM...

JAIDEN-kiddo... practice ka man toh hoga nahi tumhe, right...!!!

DIMPLE-dad,woh...

JAIDEN-its ok...maine move on bola tha,move on now nahi...take your time...

jaao, timing check karo apne bhai ki...

haan me sir hila DIMPLE bhi track ke side jaakar khadi ho chuki thi jiske ek minute baad hi SAM ne apna first sprint shuru kar diya tha...

JAIDEN-timing achi hai beta par remember, relay is not a normal race...

isme tum sirf apne dum par nahi jeethathe balki chaaron ka speed matter karta hai is race me...

ab tumhare baaki teen partners ki speed ke liye toh tum kuch kar nahi sakte but agar woh teeno agar thode slow reh bhi gaye toh us loss time ko tum apne run kw first 3 seconds me bho cover kar sakte ho...

kyunki baton(relay stick) pass karte waqt next runner ko speed gain karne ke liye normal races se zyada waqt lagta hai par jo ia waqt me apni speed jaldi capitalize kar le, jeetna utna asaan ho jaata hai...

so,apne start-up par dhyan do...make it more quick than usual...

apne dad ki advice sun ek baar phir track ke starting edge par chala gaya SAM par is baar bhi uski starting pickup par zyada fark pada nahi...

aur is baar hi kya,agle 5 attempts me bhi same chiz hui...

lambi lambi sansein bharta SAM apne ghutno ko pakde khada tha...

JAIDEN-take a moment... sip some water...

kuch der laga,SAM wapas fresh feel karne laga tha jiske baad woh wapas track ki taraf badhne laga...

JAIDEN-ek kaam karo... straight sprint se pehle 10 metres ka backward running karo...

then turn quickly and run...

fast pick up ke liye ye ek naya aur wakayi asardaar trick tha jo agle kuch seconds me saabit bhi ho gaya...

ia baari kuch nano seconds hi sahi par tez douda tha SAM jisse usne bhi feel kiya tha...


JAIDEN-thats what i am talking about...chalo,ek aur try...is baar result aur acha aayega... just backward running ke baad ki turning swift rakhna...


SAM-yes dad...


ek baar phir SAM track par tha aur ulta khada ho chuka tha...


DIMPLE-HOLY SHIT...


kyunki SAM ko curved round maarne the isiliye normal track point se naa doud woh stand ke paas se doudna start kar raha tha...

is baar bhi usne wahi kiya tha par tabhi achanak hi standa ke pichw se uske baaju me prakat sa hua MAI...

uske saath saath hi ulta doudna start kiya tha maine...

aur mujhe dekh DIMPLE ke saath saath SAM ki bhi aankhein badi ho chuki thi...


MAI-ek race aur ho jaaye... don't you bloody stop...baap ka naam roshan karne ka bada shouk hai naa,sagi aulad hai
hai toh rukna mat...

hara mujhe aur kar naam roushan...

uske saath saath ulta bhaagte hue boli thi maine ye saari baatein aur jo boli thi,uske baad kaise rook jaata SAM...

mai aur woh ek saath palte the par naked aankhon se dekhne par bhi saaf pata chal raha tha ki meri turning SAM se 100 times zyada swift thi aur uske baad jo hua,woh SAM,DIMPLE ke saath unke baap ki bhi gandiya faadne ke liye kaafi tha...

kyunki teer ki tarah aise chhuti thi meri body ki SAM kab piche chhuththa chala gaya,usse pata bhi nahi chala...

meri speed dekh aankhein kaafi badi ho chuki thi JAIDEN CHOWDHARY ki...


JAIDEN-damn...ye toh apne baap se bhi tez hai...

mere age me dad ko jo speed thi,usse tez tha mai jo saaf mehsoos kiya tha JAIDEN CHOWDHARY ne...

chand seconds me race puri ho chuki thi jiske baad mai sidhe pahuncha JAIDEN CHOWDHARY ke saamne...

unke ird gird abhi bhi bodyguards the jo mere unke yun kareeb aane par saamne aane lage the par JAIDEN CHOWDHARY ne jaath utha unhe rok diya tha...


MAI-kya kaha tha aapne...jeet ko duniya ka dekhna zaroori hota hai...

family bhi apne aap ke ek duniya hoti hai...aur aaj aapki duniya ke saamne aapka saaya haar gaya...

JAIDEN-i have to say,you are good...

MAI-oh i know...aur kyun naa hun,AHARYA jo hun...being good is in my GENES...

mere dad ke time nahi samajh paaye the aap,ho sake toh abhi samajh jaaiyega...

JAIDEN-kya...!!!???

MAI-yahi ki...

geele hokar bijli ke taaron ko nahi chhute,uske liye pehle SUKHNA PADTA HAI...

kuch pahad kaate nahi jaa sakte,unke saamne aakar RUKNA PADTA HAI...

beshak har kisi ke saamne sir uthakar chalte aaye hain aap magar...

jab saamna kisi bhi AHARYA se ho toh har sir ko JHUKNA PADTA HAI...











AAJ KE LIYE ITNA HI...







AAPKA APNA V...J...
 

Top