Update 25
aur unhone glass ko lekar ek dusre se jhagadna chalu kar diya jisse ajit waha se nikal gaya lekin usne dimag main bas yahi khayal aa raha tha ke agar aisa hi chala to wo aur hanif jald ki ek dusre se bhidne wale the.............
---------------------------------------
sadhe dus baje tak ajit ne kai logo se baat ki aur madhuri ne shama ke alawa char aur ladkiyo se irani ke bare main puch tach ki thi aisa usne pata laga liya, gurwaar ko subah madhuri ne ek ladki se nera ke bare main puchtach ki thi aur baki teeno se usne minochar ke bare main pucha tha halanki usne jo sawaal kiye the unme koi khas baat nahi thi, ek ladki ne use nera ke bare main jitna pata tha sab bata diya yani kiwo minochar irani ki beti hai itna hi aur minochar irani ek bada aadmi hai bas itna hi use pata tha, do ladkiyo ko to samajh hi nahi aaya ki kis bare main baat kar rahi hai lekin chauthi ladki minochar se mil chuki thi ek baar, usna naam santoshi sharma tha lekin sab use 'dolly' bulate the, pehle to usne dolly ko apna introduction diya ke wo compitition ka judje hai wagaire aur fir apan yaha kyu hai ye use bataya, pehle to dolly ko samajh nahi aaya ki wo kis bare mainb baat kar raha hai lekin fir usne bolna suru kiya
"ha jab usne mujhse pucha tha o maine use bataya tha ke main us budhe se ek bar mili hu" dolly ne kaha
"aur kya bataya?"
"yahi kius buddhe main aur kisi gende main koi farak nahi hai, uska weight kareeb 125 kg to hoga hi lekin wo kafi ameer hai aur usse shadi karke main bhi ameer bansakti hu"dolly ne kaha
"tumne madhuri ko bhhi yahi kaha?" ajit
"nahi ekdum aisa to nahi kjaha tha lekinitna kaha thake wo mota jaroor hai lekin kafi ameer hai aur main aise hi kisi raees se shadi karungi"
"madhuri ne tumse aur kuch pucha tha?"
"nah usne bas kaha tha ke minochar paiso main khelne wala lagta hai"
"madhuri ne irani ke bare main isse kuch alag pucha tha kya?"
"oh usne to mujhse kai tarah se sawaal kiye the jaise wo kaha rehta hai? kya kaam karta hai?? uske koi partner hai kya? wagaira wagaira lakin jahir baat hai in sab ka mere paas jawaab nahi tha isiliye main use kuch nahi bata payi" dolly ne kaha
"dolly tjumhari aur minochar irani ki mulakat kab aur kaha huyi thi?"
"waise to main usne directly nahi mili lekin pichle mahine main mumbai main ek party thi jisme is contest ke semi-finals aur final round main pahuchi huyi ladkiya bhi tha wahi maine use dekha tha sath main uski beti aur uske bati ka pati bhi tha" dolly
"Jaal Daruwala?"
"ha aur sath main is hotel ka malik bhi tha" dolly ne kaha
"kon? Narendrakumar Lamba?"
"haa!"
"wo sab sath the ?"
"mujhe lagta hai mere bolne ka wahi matlab tha" dolly
"minochar irani, uski beti nera, damad jaal daruwala aur narendra kumar lamba barobar?"
"haa!" dolly
"badhiya, ab kuch baate saaf ho gayi hai, aur kon kon tha party main?" ajit
"bahut sari ladkiya thi, film industry ke kuch bade chehre bhi the, waha hamari scren test lene wale the"dolly ne kaha
"Rohit Mehra bhi us party main maujood the??" ajit ne pucha
"ha aur sath main aur bhi kais are producers the jo mivie aur TV shows banate hai aur usne sath waha sanjay dewal bhi tha the rising star , kisi bhi ladki ka dil chura le aisa, maine jab use dekha to..........."
"wo sab sath main kaam kar rahe the?" dolly ki baat ko beech main katte huye ajit ne sawaal kiya
"mujhe nahi pata, wo ek party thi waha aisi bate kaun puchta hai " dolly ne kaha
"kya madhuri sen bhi us party main thi?"
"nahi!!"
"kal wo tumse kab mili thi ???"
mere hisab se dophar main.." dolly ne kaha
"lunch ke aas paas ??"
"nahi, lunch ke dauran to wo mujhe dikhi hi nahi wo mujhse lunch ke pehle mili thi, asal main wo mere room par aayi thi" dolly
"usne tumse nera, jaal ya lamba ke bare main kuch nahi pucha?"
"nahi, usne mujhse sirf minochar irani ke bare main baat ki"
"sirf minochar ke bare main?"
"haa."
ajitko jo dolly se puchna tha usne pucha aur use bye keh kar swimming pool ki or nikal gaya. jis jagah ajit ne dolly se baat ki thi waha se swimming pool kafi door tha aur royal palace ka structre chhod diya jaye to har jagah ghani jhadiya banayi huyi thi , royal palace ka apna khud ka zoo bhi tha, hotel royal palace ka building ka construction 5 acre ki jagah main kiya gaya tha aur aaju baju ki 12 acre jagah main ghani jhadiya lagayi gayi thi, jo jungle kuch is tarah banaya gaya tha ke mano usme aisa lagta tha jaise humk manav nirmit jingle main nahi balki prakritik jungle main ghoom rahe hai, Hotel Royal Palace ke structre ko dekhte huye waha desi videshi paryatako ki kafi gardi hogi is baat pe ajit shart lagane ko tayar tha, jungle main chalne ke liye raste bane huye the jisme se ajit se swimming pool ki or jane wala short cut pakad liya, wo rasta ghani jhadiyo main se jata tha, asal main ajit ne us raste ka upayog na karte huye dusre bade raste se jana chahiye tha jaha lights lage huye the aur jo swimming pool ki or jane wala sahi rasta tha lekin uspar goli chale bhale ki kuch ghante bet chuke the lekin goli chalane wale par ajit ko vishwas nahi tha aur ek baar uska waar kahli gaya tha aur wo dobara koshish karega is bare main ajit ne socha hi nahi tha ulta madhuri ka khoon ache se nipat jaye isiliye us par bh goliya chayahi gayi thi taki koi saboot na bache aisa ajit ne socha tha
lekin in sab mamlo main ajit pehle se galat hota aaya tha, wo ghatna ghati uske 5 second pehle aisa kuch ho sakta hai aisa ajit ko l;ag raha tha lekin kehte hai na jab jab jo jo hona hao tab tab wo wo hota hai use koi rok nahi sakta, khayalo ke bhanwar main khoye huye apan jis raste se ja rahe hai uske dono taraf ghani jhadiya hai aur usne chupa koi hamlawar kabhi bhi apna khel khatam kar sakta hai is or ajit ka dhayan hi nahi gaya. manav nirmit us jungle main naisargik jungle jitna hi andhera tha aur door swimming pool ki or se aati roshni dikh rahi thi, hotel ka wo bhag roshnai main nahaya hua tha
ajit ne adhe se jyada rasta cover kar liya tha lekin achanak wo ruka us samay kuch na kuch to hone wala hai aisa ajit ko lagne laga apne apne kano se sunne ki koshish ki lekin use raatkido ke awaj ke alawa kuch bhi sunai nahi diya aur is andhere main koi sendehaspad himachal bhi use dikhai nahi de rahi thi lekin fir bhi uske man main ab bhi dhoke bhi ghanti baj rahi thi
Ajit ne apne man se sare khayalat door hata diye aur us vatavaran se apne aap ko ekroop kar liya ajit kafi satark ho gaya tha, uske kaan jungle main aane wali har awaj ko sunne ki koshish kar rahe the tabhi uske rongte khade ho gaye aur wo kafi jyada satark ho gaya lekin kis chiz ne use itna satark kiya tha ye abhi samajh main nahi aa raha tha aur uska hath apne kandhe ki or chala gaya
Ajit ko dhayan main aa gaya ke usne apna shoulder holster nahi pehna hai fir uska hath apne suit ke ander gaya aur agle hi pal uske hath main uski pistol thi
Usi samay ajit ke kano ne uske piche ki taraf halka sa awaj suna, wo awaj kisi hinsra pashu ka nahi tha ye baat ajit jaan gaya tha aur ab wo halka halka awaj ruka aur uske piche kisi ne dhimi awaj main hunkar bhari, is hunkar ka matlab ajit achi tarah se samajh gaya tha , use maarne aaya hua hamlawar apne hathiyaar se waar karne ke liye apni sari himmat aur takat jama kar rahe hai ye samajhte ajit ko der nahi lagi ajit aur jyada satark ho gaya aur us awaj ki disha main ghuma lekin use is main thodi der ho gayi
Waar ajit ke sar par hua tha jise ajit bhi samajh gaya aur agar is hamlawar ko jaldi nahi roka gaya to wo ajit ka kaam yahi tamaam karne wala tha lekin us hamlawar ko sambhalna ajit ke liye aasan nahi tha kyuki sar par huye prahar ki wajah se ajit niche jamin par gir gaya tha, usne apna gun wala hath uthane ki koshish ki lekin wo apne hath ko ek centimeter bhi nahi utha paya
Usi waqt use apne paas khade hamlawar ki aakruti dikhi, andhere ki wajah se uska chehra nahi dikh raha tha lekin uske hatho ki or dekh kar saaf bataya ja sakta tha ke uska agla waar bhi ajit ke sar par hi hone wala hai , ye baat bhapte huye ajit ko bhi jyada samajh nahi laga aur jine aur marne ke beech ka jo wo pal tha us ek second main agar wo apni gun ka trigger daba paya tohi.....
Tohi uske jinda bachne ke Chances the aur darr ke mare uski ungliyo ne kab gun ka trigger daba diya ye use bhi samajh main nahi aaya, goli hamlawar ke pair ke paas se nikal gayi aur goli ke awaj se wo hamlawar ajit ko chhod kar waha se bhagne laga aur andhere main kahi gum ho gaya..
Ajit ne apni aankhen kholi to dekha ke uske paas khada hamlawar andhere main kahi gum ho gaya hai lekin uske pairo ka awaj ab bhi ajit ko saaf sunai de raha tha to ajit ne jaha wo hamlawar bhaga tha us or gun point ki lekin use pitting position lene main samay lag gaya aur tab tak wo hamlawar uski range se door nikal chuka tha ye use samajh main aa gaya...
Ajit jor jor se saas le raha tha usse waha khada bhi nahi raha ja raha tha mani uske hath pairo se jaan hi chali gayi ho isiliye wo wahi kuch der baith gaya kitna samay pata nahi lekin wo jinda bacha tha bas yahi baat kafi thi, goli ka awaj sun kar bhi koi waha tak nahi aayega ye baat ajit janta tha lekin use is baat ki chinta nahi thi use to bas apne mastak ki chinta thi ko kafi joro se dukh raha tha usne apne sar par se hath ghumaya lekin dard ke mare use chehre ke expressions bigadne lage, hath par aayi nami se use samajh main aa gya tha ki waha jakham hi gayi hai jisme se khoon beh raha hai tab ajit ne apni jeb se rumal nikala aur khoon rukne tak use jakham par daba kar pakde rakha, ajit na naseeb acha tha ke hamlawar ke maar se bas uski chamdi fati thi baki jyada maar nahi tha lekin sar main ho rahe dard ki wajah se wo jyada kuch soch nahi pa raha tha lekin kisi bhi paas main main culprit ko pakadna hi hai ye usne than liya tha
Us waqt kam se kam teen log aise the jinse ajit jald se jald milna chahta tha, ajit utha, sar par lagi huyi maar ki wajah se ek pal ke liye ajit ki aankhon ke samne pal bhar ke liye andhera cha gaya , wo kuch samay ruka aur jab uski najre normal huyi to wo puri satarkta ke sath Hotel Royal Palace ki or nikal gaya.......