Thriller Hotel Royal Palace..(completed)

Newbie
73
19
8
Update 26

Us waqt kam se kam teen log aise the jinse ajit jald se jald milna chahta tha, ajit utha, sar par lagi huyi maar ki wajah se ek pal ke liye ajit ki aankhon ke samne pal bhar ke liye andhera cha gaya , wo kuch samay ruka aur jab uski najre normal huyi to wo puri satarkta ke sath Hotel Royal Palace ki or nikal gaya.......

sar par chot lagi hone ki wajah se kisi sharab ke nashe main dhut insaan ke jaise ajit raste main ke jhadiyo ka sahara lete huye jaise taise royal; palace main pahucha, kisi bhi pal apan girne wale hai aisa use laga aur wo sahi bhi tha lekin fir bhi ajit ab bhi apne pairo par khada tha iske piche bas ek hikaran tha wo tha us hamlawar ko pakadne ka dhrid nishchay, apan hote main jald se jald pahuch kar marne wale ko pakad sakte hai aisa usne socha tha aur isi icha se wo waha pahucha tha lekin jab wo waha npahucha tab use samajh main aa gaya ke apne ko pahuchne main der ho gayi hai sar dard kam ho isiliye usne apne paas ki painkiller kha li jisse ab wop thoda thande dimag se soch sakta tha

lamba ne ajit se kaha tha ke wo usse kandhar room main mil sakte hai lekin galti se ajit pehle kaling restaurent main ghus gaya aur baad main usne kandhar room dhund nikala aur bagair koi sabhyata ki maryada pale wo sidhe ander ghus gaya, lamba waha apne kuch gine chune logo ke sath baithe the unka dhayan jaise hi ajit par gaya unhone use hath se rukne ka ishara kiya...

"sir aap yaha hai" ajit ne kaha, " lamba aap isse pehle kaha the?" ajit bas bol raha tha aur ab waha maujood har shaks ki najar ajit par thi lekin sabse pehle shabd lamba ke muh se hi nikle

"ye kya faltu pana hai" party main khalal aane ki wajah se lamba chid gaye the

"yahi sawaal main aapse karna chahta hu, lamba aap isse bach nahi sakte, maine apni aankhon se aapko dekha hai" ajit ne kaha

ajit ki baat sun kar lamba ka chehra safed pad gaya tha, ajit ke hisab se ye baat achi thi kyuki khud lamba ko sambhalne se acha ghabraye huye lamba ko sambhalna asan tha, ab waha maujood har insaan ki najar lamba par tiki thi aur lamba ka chehra utra hua tha, waha maujood lamba ke guests koi aam log nahi the balki bahut ki khas log the aur bagair kisi purvasuchna ke ajit ka waha aakar tamasha karna unhe bilkul pasand nahi aaya tha

"sorry" lamba ne baki logo ki taraf dekh kar kaa aur fir ajit se bole "Mr. Deshmukh mere hisab se aapko jyada ho gayi hai jo aapki aankhon se saaf dikh raha haimujhe lagta hai aapko jakar aaram karna chahiye..."

"aaram gaya gadhe ki ga......" ajit bolte bolte ruk gaya lekin wo aage kya bolne wala tha ye waha maujood sab samajh gaye the "main yaha kuch bahut important kaam ke liye aaya hu"

ajit ki baat sun kar lamba kurchi par se uthe aur ajit ke paas aaye aur use ek kone main lejakar halke awaj main bole "hum baad main akele main mere office mani baat karte hai abhi nahi" lekin ajit par shayad is baat ka koi asar hi na hua

"aaj dus minute pehle ya pichle ek ghante main is room se bahar gaye the kya?" ajit ne pucha

lamba ne ek pal ajit ko gaur se dekha aur fir room main apne guests par najar ghumayi fir wapis ajit ko dekha "ha main daruwala ko dhundne bahar gaya tha" aparadhitva ki awaj main lamba ne kaha "bas kuch minto pehle hi room main wapis aaya hu lekin mere bahar jane ka kis baat se sambandh hai.... aapko daruwala mila kya?" lamba ne baat pui i lekin ajit ne uska sawaal najarandaj kar diya

"aur hanif sando ka kya?" ajit ne pucha

"hanif sando? uska kya?" lamba ne sawaal dohraya

"yehi sawaal to maine pucha hai" ajit ne kaha

"ha uske bare main kya jana hai?"

"kya hanif bhi nahi dikha aapko?"

"nahi par uska mujh se kya lena dena hai" lamba

"mere hisab se ye baat bahut hi sendehaspad hai, aapko nahi lagta?" ajit ne pucha

"maaf kariyega lekin aap kya bol rahe hai mujhe kuch samajh nahi aa raha hai" lamba ne chakra kar kaha jisse ajit kuch soch ne laga

"mujhe bhi nahi samajh main aa raha ki main kya bol raha hu" ajit ne kaha

"hum is bare main baad main charcha kare to nahi chal sakega kya? " lamba ne kaha

"theek hai chalega..........agar man jinda bacha to..." itna bol kar ajit waha se nikal gaya aur lamba use jate huye dekhte rahe....

Ajit ne hanif ko dhundte huye pura hotel royal palace chan mara lekin use kahi bhi hanif nahi dikha shayad wo shama ke room main hoga ye soch kar ajit shama ke room ke paas pahucha aur darwaja khatkhataya lekin koi response nahi mila, ya to hanif aur shama dono man se koi bhi room main nahi tha ya fir wo jaan bujh kar darwaja nahi khol rahe the khair jab ajit hanif ko dhund kar thak gaya to wo jaal daruwala ko dhundne laga lekin waha bhi use safalta nahi mili

Ajit ke dimag main bas ek hi baat ghum rati thi wo thi ke jisne bhi us par prahar kiya tha wo ise khatam karne ke hetu se hi kiya tha, uska sar ab bhi halka halka dukh raha tha aur samay bhi adhi raat ke kareeb ho raha tha isiliye ab isse jyada is case main aaj progress nahi ho sakti ye baat ajit ke dhayan main aa gayi aur akhir main usne apna man shant karne ke liye kuch drink lene ka nirnay liya , uska thanakta hua sar chhod diya jaye to baki ajit puri tarah tandurust tha kam se kam uski aankhon ke samne andhera to nahi ho raha tha aur ab to uske pair bhi nahi ladkhada rahe the, sharab ke do ghut lene se apne sharir main aur taiyari aa jayegi aisa use laga aur wo antahpur ki or nikal gaya

Antahpur jate huye raste main hi uski mulakat rati ganguly se ho gayi

Halanki is baar wo pehle ki tarah usse takraya nahi tha balki antahpur ki lobby ki or jate huye uski najar hotel ki main lobby par gayi aur wahi se use rati aati huyi najar aayi aur wo wahi uski raah dekhte huye khada ho gaya aur uske aate hi uske samne aa gaya

"hello, tum mujhse hi milne ke liye yaha aa rahi thi na, mujhe laga hi tha ke tumhe mere bagair kuch acha nahi lag raha hoga aur akhir kar tum mujhe dhundte huye yaha aa hi gayi" ajit ne kamar main thoda jhuk kar rati ka welcome karte huye kaha

"main to drink lene ke liye antahpur main ja rahi thi" rati ne kaha

"to mehra kaha hai?" ajit ne pucha

"wo abhi bhi apni meeting main hi hai!"

"paagal aadmi"

"unki meeting shayad raat bhar chalegi aisa unhone kaha hai aur main gardi se bachne ke liye antahpur main ja rahi thi gardi main kafi pareshani ho jati hai" rati ne kaha

"main samajhta hu, populariry insaan ko insano se hi door kar deti hai wo aise hi" ajit

"isiliye to sone se pehle ek peg lene ke hisab se bar ki or ja rahi thi" rati ne kaha

"main bhi to isi khayal se bar man ja raha tha" ajit ne kaha "rati agar ek peg ka hi sawaal hai to tum mujhe company kyu naih deti?"

rati ne apne ektaraf ka hoth daat ke niche dabaya, garden halki si ek taraf jhukayi aur sochne lagi, uski madak najar ajit par tiki thi ek pal ko uska chehra gambhir hua lekin agle hi pal uske chehre par hasi aa gayi "kyu nahi, jaroor, ajit deshmukh jaise jane mane det....."

rati aage bolti usse pehle hi aji ne hotho par ungli rakh kar use chup hone ka ishara kiya aur dono hi hatho hatho main hath dale antahpur main chale gaye.....

Sirf ek peg ke liye antahpur main gaye huye un dono ne bato bato main kai peg khatam kar diye aur bato bato main hi ajit ne use apne upar huye huye jaan leva hamle ke bare main rati ko bataya jispar rati ne apni sahanubhuti vyakt ki aur ajit ne ek baar fir se uske aur madhuri ke bich jo bate huyi thi wo rati se puchi lekin usme se ajit ko important aisa kuch pata nahi chala jo use pehle se hi pata tha wohi rati ne use bataya aur jab rati bol rahi thi to ajit bagair kuch bole bas uski bate aun raha tha

"Ab mujhe jana chahiye" akhirkar rati ne kaha "kal hone wale function main mera acha aur fresh dikhna bahut jaruri hai"

"tum to har samay achi hi dikhti ho "ajit ne kaha " khair chalo main tumhare ghar tak...I mean tumhare suite tak tumhe company de deta hu, waise bhi in halato main us suite main akele rehna tumhare liye dhokadayak hai ye to tum jaan hi gayi hogi"

"Acha, 200 log mere aaju baju hote huye bhi??" Rati ne pucha

"Kyu nahi waise bhi un 200 main se jyadatar MARD hai " mard is shabd par jor dete huye ajit majakiya awaj main bola

"Aur tum unse meri raksha karne wale ho haina ?" Rati ne kaha

"Bilkul!!"

"Fir theek hai " rati ne kaha aur wo dono antahpur ki lobby se nikal kar main gate se bahar nikal gaye

Cement concrete ke chalte huye wo dono hotel ke south wing main aa gaye aur kuch hi minto main wo rati ke suite ke samne the... darwaje ke samne pahuch kar kuch bolne ke liye rati mudi lekin fir usne apne khayal badal diya aur kaha

"Ek aakhri peg ke liye company dena chahoge? Agar thake na ho to.."rati

"Ek peg se to koi farak nahi padega.."ajit

"Isiliye to lekin sirf ek hi peg" rati ne ajit ki or dekhte huye kaha "kyuki mujhe bahut neend aa rahi hai"

darwaja side hata kar dono ratike suite main aaye, living room waise chota tha lekin kafi akarshak tarike se sajaya hua tha, floor par mehnga wala dark blue color ka galicha bicha hua tha, diwaro par MF hussain ki paintings lagi huyi thi.

Sidhe hath par ek chota kitchen aur bar tha jiske samne do stools rakhe huye the aur baye hath par adhe khule darwajer main se ajit ko bedroom saaf dikhai de raha tha, room service ne bed tayar karke rakha hua tha. Rati do glass tayar karke aayi aur dono apne apne glass lekar couch par baith gaye, dono main mushkil se ek foot ka antar tha. rati ke chanel ke perfume ka halka halka sugandh ajit ko mehsus ho raha tha, rati ne apne pairo main se jute utare aur apne pair samne tepoy par rakhe aur dono ne cheers karke glass apne hotho ko lagaya aur dono ne sip lekar glass baju main rakhe centrepiece par rakha aur ek dusre ko dekha

aur usi samay wo hua....ajit ne rati ko apni baho main bhar kar uske hotho par apne hoth rakh diye....

is baat se jitna rati shocked thi utna hi ajit bhi, ajit ne aisa jaan bujh kar nahi kiya tha balki aisa karne ke bare main usne socha bhi nahi tha lekin ye sab ho gaya tha, ek pal pehle wo rati ki or dekh raha tha aur agle hi pal rati uski baho main thi, rati ne apne ko sambhala, usne un baho se ajad hone ki koshish ki lekin wo bas naam ki koshish kar rahi thi sharir to uska shant hi tha, hoth bhavnao se bharkar garam, gile aur mithe ho chale the aur ajit ne use apni baho main aur bhi kas liya aur jis tarah se koi nagin nag se bhidti hai usi tarah se wo ajit se bhid gayi, rati ke hath ajit ki kamar se ird gird the

"rati...." ajit ne kaha

"please abhi kuch mat bolo.."rati ne kaha, uske hath ajit ki pith par ghum rahe the aur uski garmsaas ajit ki naak par pad rahi thi aur uske gulabi hoth ajit ke hotho se bhid gaye......
bas ek peg aisa rati ne kaha tha lekin wo us ek peg ko bhi khatam nahi kar paye the...
 
Newbie
73
19
8
Update 27

"please abhi kuch mat bolo.."rati ne kaha, uske hath ajit ki pith par ghum rahe the aur uski garmsaas ajit ki naak par pad rahi thi aur uske gulabi hoth ajit ke hotho se bhid gaye......

bas ek peg aisa rati ne kaha tha lekin wo us ek peg ko bhi khatam nahi kar paye the........
---------------------------------
dusre din subah jaldi breakfast karke ajit ne apni car nikali aur wo bordi aswali road par aa gaya, is baar wo lamba ke ghar ke paas na rukte huye us mitti ke tile par gaya jaha se uspar goliya chalayi gayi thi aur wo khooni bhag khada hua tha, us jagah ke sab taraf khet the lekin fir bhi waha ajit ki najro main ek lakde ka bana hua ghar pad gaya aur wo waha pahucha, ghar ke aaju baju ladkiyo ka fence bana hua tha jise hata kar ajit ander aaya aur shayad use wo hatate huye dekh liya gaya tha isiliye wo ghar ke main gate par pahuchta isse pehle hi ek adhed umra ki mahila waha aa gayi

"kaun chahiye??" usne pucha

"aapke yajman ghar main hai kya??" ajit ne pucha

"nahi! wo thane(mumbai) gaye hai, char din ho gaye " usne kaha

"police aapke paas aaye the ??" ajit

"haa, bhave ya aisa hi kuch naam tha shayad wo aaye the" us mahila ne kaha jise sun kar ajit ka dimag thanka kyuki wo ab tak bhave se nahi mila tha aur 'agar tum nahi aaye ya bhul gaye to mujhe acha nahi lagega ' ye bhave ke shabd uske kaan main ghumne lage, is ghatna ke liye bhave ne use complainent banaya tha aur wo ab tak FIR par signature karne bhi nahi gaya tha

ajit ko us lady se jyada sawaal nahi karne pade, uska naam shashi raut tha aur chuki bhave pehle hi usse sawaal kar chuke the isiliye ajit ne sawaalo se use khasa farak nahi pada, wo us pure din ghar par akeli hi thi aur bahar se bhi koi anjana vyakti ya koi mehmaan nahi aaya tha, uska pati thane gaya hua tha aur gadiyo ki baat kare to unke paas ek splendor bike, tractor aur Mahindra ki jeep the aur uska pari jeep lekar hi thane gaya hua tha aise main charoti dahanu road par dasharath ke paas ajit ko full speed main jis car ne overtake kiya tha usme wo nahi ho sakta tha, wo insaan thane apne dost ke paas gaya hua tha aise main uski us din ki activity pata lagana aasan kaam tha

"Kal aapne yaha goli bari ke awaj sune the ??" Ajit ne pucha

"Haa, lekin mujhe usme kuch navlayi nahi lagi yaha se kuch hi door se jungle suru hota hai aise main kai baar gaon wale ya aadiwasi double barrel bandooko se jaanwaro ka shikar karte hai ye bhi usi main ka koi prakar hoga aisa soch kar maine use najarandaj kar diya aur us or dhayan nahi diya aur waise bhi main kisi ko dekha bhi nahi tha" us mahila ne kaha

Ajit ko bhi isi baat ka pata tha usne raut madam ko unke diye gaye samay ke liye thank you kaha aur hotel royal palace ki or wapas nikal gaya aur waise bhi koi bhi 100km prati ghante ki raftaar se kisi ke bhi ghar mehmaan ban kar nahi jata hai ye ye important point tha aur ab tak jitni bhi information ajit ko pata chali thi uske bare main ajit soch raha tha jiske hisab se usne is case main ab tak bahut hi thodi progress ki thi aur use diye gaye samay main ab bas kuch hi ghante bache the...

Tabhi ajit ko bike se jate huye ek constable dikhai diya aur use bhave ki yaad aa gayi lekin ajit apna phone hotel main bhool aaya tha aur ab is chote se gaon main phone kaha dhunde ye dikkat thi tabhi uske dimag main ek khayal aaya aur wo waha ki grampanchyat main chala gaya taki waha ka phone use kar sake, wo grampanchyat ke office main enter hua, madhuri ke khoon ko abhi 24 ghante bhi nahi huye the aur kal bhave is tarah se ajit se baat kar raha tha us hisab ae wo koi bada officer hai aisa gaon walo ne samajh liya tha, ajit ne jaise hi unse local police station ka numner manga to gram sewak ne turant use number de diya aur wo number dial karne ke baad ajit ne phone par bhave ke bare main pucha aur bhave ke line par aane ki raah dekhne laga

"Kaun bol raha hai??" Ek do minute raah dekhne ke baad bhave ka awaj ajit ke kano main pada

"Ajit, ajit deshmukh" ajit ne kaha

"Ab tak kaha jhak mara rahe the? " bhave ne chid kar pucha

"Kaha kya hotel royal palace main tha bhave aur abhi main police station hi aa raha hu isiliye aap kahi na jaye isiliye phone kiya hai" ajit ne kaha

"tum apni marji se kahi bhi aao jao mujhe usse koi lena dena hai hai samajhgaye, mujhe aur bhi bahut se kaam hai ajit aur agar meri jagah ko aur hota to...... jane do tumhe police station aane ki jarurat nahi hai main hotel royal palace ki or hi nikal raha hu" bhave thoda gusse main the

"aapki icha hogi to main aapse waha milta hu mujhe aapse kuch baat karni hai" ajit ne kaha

"lekin fir bhi tumhe police station aakar FIR registar kar sign karna padega amin registrar lekar tumhare ghar nahi aane wala hu, main hotel royal palace main aa kar tumse milta hu" bhave

"koi khas baat??" ajit ne pucha

"haa, aur abhi sadhe nau baj rahe hai main tumse dus baje tak milta hu tum mujhe gate ke paas hi milna" bhave ne kaha

"theek hai main raah dekh raha hu" ajit

ajit ne reciever rakh diya. bhave khud hotel royal palace main aa rahe hai matlab kuch jabardast gatna ghat hai ye baat ajit samajh gaya tha lekin kya hua hoga yahi wo soch raha tha lekin isbaar is baat main usne apna jyada dimag nahi khapa kyuki kuch hi samay main use sab pata chalne wala tha, usne hotel pahuch kar apni car parking lot main khadi ki aur main gate ke paas aakar bhave ki raah dekhne laga, ajit ne raah dekhte huye apni duasri cigarette khatam ki tabhi use police ki jeep aati huyi dikhi, isbaar inspector bhave akele aaye the aur jeep main se utarte hi unhone ajit ko ishara kiya aur wo dono ek side chale gaye jaha koi nahi tha.

"ajit, main ab tumse jo bhi puchne wala hu wo dost ke nate se puchunga fir bhoi wo official hoga ye dhayan main rakhna" bhave ne kaha

"theek!! kya gadbad hai?" ajit

"batata hu, kal raat jab hum lamba se sawaal jawaab kar rahe the tab unhone tumhe kisi khas kaam ke liye appoint kiya hai aisa hame bataya tha lekin wo kaam kya tha ye unhone batane se mana kar diya kya tum mujhe bata sakte wo ki unhone tumhe kaunsa kaam diya hai?? sath hi tumne ab tak kya pata lagaya hai ye mujhe bhi jaan kar acha lagega " bhave kuch pal ruke " kis kaam ke liye lamba ne tumhe yaha bulaya hai?"

"madhuri sen ko dhundne ke liye, us waqt wo lapata thi aur sath hi aaj hone wale beauty compitition ka judne banne ke liye..." aijt

ajit ki baat kun kar bhave ko hasi aa gayi wo jor jor se hasne lage " aur kuch" bahve ne haste huye pucha

"ha madhuri sen aur minochar ka khoon kisne kiya hai ye dhundne ke liye aur ye case solve karne ke liye unhone mujhe aaj sham tak ka samay diya hai"

"sham tak ka??" bhave

"haa" ajit

ajit ki baat sun kar bhave ko ek baar fir hasi aa gayi aur is baar itni hasi aayi ke haste haste aankhon se pani aa gaya

"ye bas timepass ho raha hai mujhe bhi pata hai lekin ab chup hone ka kya loge, aur isme hasne jaisi konsi baat hai?" ajit ne gusse main kaha

"acha bhai tum case solve karo main ghar jata bu theek hai" bhave

"bhave...."

"kya?"

"aapko meri baat sunni hai ya nahi??" ajit

"jaroor jaroor" apni hasi control karte huye bhave bole "is case main tumhari jitni hosake madad chahiye"

"badhiya" ajit ne kaha aur fir bolna suru kiya aur use jo bhi ab tak pata chala thaaur konsi bate ajit ko important lagi thi wo sab usne bhave ko bata diya aur ajit ne apni baat khatam ki. kuch pal shanti rahi aur phir bhave ne bolna suru kiya lekin ab unka awaj normal tha

"mujhe lagta hai hotel royal palace banane main minochar irani ka paisa laga hai ye tumhe pata hoga hi" bhave ne pucha

"kya?? minochar ka paisa?" ajit ne ashcharya se pucha

"haa, minochar ka paisa ab tum yeda ban ke pedha mat khao" bhave

"uski jarurat bhi nahi hai main ye baat pehli baar sun raha hu" ajit ne kaha

"ajit agar tum mujhse jhoot bolne ki koshish kar rahe ho to...."

"ek minute bhave, aap kya bol rahe ho ye agar meri samajh main aaye to main waisa jawaab dunga ya chup rahunga lekin ye kya hai yaar is hotel main minochar irani ka investment hai aisa aapko bolna hai kya??" ajit

bhave ne kuch pal ajit ko gaur se dekha aur apna decision le liya

"tumhe agar sach main is bare main kuch nahi malum hai to jald hi malum ho jayega, tumhare client ka in hotel ke pure kharch main bas 20-30 lakh ka investment hai aur tumhe nahi lagta ye paisa 270 crore ke samne kafi chota hai, sara paisa irani ka hai" bhave

"matlab lamba is hotel ke malil nahi hai aisa to nahi kehna aapko?" ajit ne pucha
"malik?? wo kabhi kisi chiz ka malik nahi tha wo to irani ka 'FRONT MAN(kathputli)' hai".......
 
Newbie
73
19
8
Update 28

"matlab lamba is hotel ke malil nahi hai aisa to nahi kehna aapko?" ajit ne pucha

"malik?? wo kabhi kisi chiz ka malik nahi tha wo to irani ka 'FRONT MAN(kathputli)' hai".................

Bhave ke kiye huye khulase se ajit ko dhakka laga tha jisse ubharne main use kuch samay lag gaya, ajit ke pure career main use aisa jhatka kabhi nahi laga tha lekin kai tarah ke alag alag anubhav sath hone ki wajah se use jyada manay nahi laga aur wonormal ho gaya

Narendrakumar Lamba kafi rahasyamayi aadmi tha, use duniya jo salaam thokti thi us salaam ka asli hakdaar koi aur hi tha ye baat duniya ko pata nahi thi aur madhuri sen ne lamba ke bangle ko visit kiya tha ye baat ajit bhula nahi tha, ajit jab waha pahucha to lamba ghar par nahi tha, minochar irani ka khoon hua tab uski car minochar ke estate ke aas paas thi uske baad monochar ke khoon ki news batane ke baad bhi lamba ke chehre ki nas bhi nahi hali thi aur aise insaan ke liye ajit kaam kar raha tha, ajit ne bhave ki or dekha

"aapko ye sab kaise pata chala??" ajit ne pucha

"hamne irani ke documents check kiye the taki unse koi clue mil sake unhi main hame lamba aur irani ke beech huye contract ki copy mili uspar dono ke signatures the aur gawah ke roop main unke wakilo ke aur ispar se bas itna hi sabit hua hai ke ye jo industries aur hotel ka samrajya hai isme cororo ka investment irani ka hai lekin unko khud ko popularity pasand nahi thi isilioye wo hamesha parde ke piche hi rahe short main irani lamba ke sleeping partner the aur lamba working partner ke roop main sara kaam sambhalta tha isiliye sirf normal log nahi balki business relation wale bhi lamba ko hi malik samajhte the" bhave ne kaha aur kuch palruke "kya mere batne ke pehle tumhe ye kuch bhi pata nahi tha??"

"nahi, aur ab main ye baat bar bar nahi bolunga, kya hotel royal palace main irani ke alawa bhi kisi ki investment hai??" ajit

"hogi bhi to filhaal hame us bare mainpata nahi chala hai" bhave ne kaha

"theek hai, ab irani to mar chuka hai to ab hotel royal palace ki malkiyat kiske pas jayegi?" ajit

"abhi is bare main hame puri jaan kari nahi huyi hai, aamtaur par unke shares wairs hak se nera ke paas jane chahiye, minochar irani ke maa baap ab bhi jinda hai aur divorced biwi bhi kahi hai, abhi tak irani ka death certificate hamare paas nahi pahucha hai dophar tak hamare paas aa jayega" bhave

"partnership ke contract main bhavishya ke roop main bhi to socha gaya hoga na jaise agar ek partner mar jaye to dusra firm ka malik ban sakta hai ya business band karke dusre partner ko property ke roop main uska hissa milega aisa kuch" ajit

"abhi tak hamari najro main aisa kuch nahi aaya hai hum abhi bhi irani ke safe main mile document ki chan been kar rahe hai , tumhe wo thappi dekhni chahiye thi..iske alawa us safe main teen lakh rupayo ki cash thi" bhave

"cash??"

"ha aur is mamle main bhi ek jhol hai, irani ke safe main kisi bhi samay kam se kam panch lakh ki cash hoti hi hai aisa hame jaal daruwala ne bataya tha aur is baat main uski patni ne bhi hami bhari thi aur paanch lakh yani iranike hisab se to pocket money tha" bhave

"to fir un 2 lakh ka kya hua pata chala?" ajit

"us mamle main koi kuch nahi bata paya hai" bhave ne kaha

"mujhe lagta hai ap yaha lamba se milne aaye hai" ajit ne bhave se kaha kyuki uske bagair bhave ka royal palace main aane ka koi kaam nahi tha "agar main aapke sath aau to apko problem to nahi hai na?"

"jaroor koi dikkat nahi hai" bhave ne kaha

"jisne mujhe iranike khuni ko dhundne ke liyehire kiya hai usine irani ko udaya hai iske kitne percent chances hai!!" ajit ne pucha

"mushkil hai lekin aise cases pehle bhi huye hai kai baar khuni ki khoon ki report karta hai" bhave ne kaha aur wo lamba ke office ki or nikal gaye

lambe apne office main the the, unka office bhi jaal daruwala ke office jaisa hi tha bas thoda bada thaaur kuch bhi ho gaya to bhi sabki najro main lamba us cororo ki lagat se bane hotel royal palace ke 'malik' the , ajit aur bhave unke samne rahki kurchi par baith gaye aur bhave ne bolna suru kiya aur ekdum shanti se jo jo unhe pata chala tha wo sab unhone lamba ko bata diya

"is sab ke bare main aapko kya kehna hai??" ant main bhave ne pucha

jab bahve bol rahe the tab lamba ektak table ko dekhe ja rahe the aur bhave ka bolna khatam hone ke bad unhone najar utha kar bhave aur ajit ko dekha aur lambi saas lekar bolne se pehle kuch sochne lage

"mujhe is bare main kuch nahi kehna hai " lamba ne kaha "inspector aapne jo bhi abhi kaha hai wo sab sach hai aur jis pal mujhe unki maut ki khabar mili thi tabhi main samajh gaya tha ke ye sach bahar aa hi jayega. Jo hua wo durbhagyapurn tha lekin atal tha aur ab isse kuch khas farak nahi padta hai. Irani mere jigri dost the jinka khoon hi chuka hai aur unke khooni ko saja honi hi chahiye ye mere liye kafi jaruri hai"lamba ne shanti se kaha

"Aapko pakka itna hi kehna hai ??"bhave

"Ha inspector faltu main kisi baat ko badha chadha kar batane main ya bhavnao ka pradarshan karne ka koi matlab nahi hai aur main koi gunah nahi kiya hai isiliye......"lamba ne kaha, lamba ki baat sun kar bhave ke arthpurn najro se ajit ki or dekha aur fir aaram se kharchi kar baith gaye aur lamba pe apni najar tikayi

"Mr.Lamba irani ke baad hotel royal palace ki malkiyat kiske paas jayegi?" Bhave

"Mere hisab se nera pe paas par mera interest safe hai matlab mujhe kisi bhi prakar ka arthik nuksaan nahi hoga aur irani ke investment ki baat kare to uska kya karna hai ye pura unak decision tha !!" Lamba

"Matlab in short irani ke marne se aapka koi fayda nahi hone wala tha ??"

"Fayda ?? Bilkul nahi ulta maine apna bahut acha dost kho diya hai"lamba

"Aap irani ke estate par gaye the ye aapka bolna ab bhi kayam hai??"bhave

"Main ambetpada tak gaya tha , unki estate waha se 3-4 km ander hai"lamba ne kaha

"Matlab aap estate par nahi gaye the aur itna hi nahi mere batane ke pehle aapko pata bhi nahi tha ke irani ka khoon ho chuka hai barobar?" Bhave
"Barobar" lamba ne cigarette jalate huye kaha lekin wo jhooth bol rahe hai aisa ajit ko baar baar lag raha tha aur bhave bhi isi hisab se soch rahe gai aisa ajit ko laga

"Lamba jab maine aapko irani ke marne ke bare main bataya tha tab aap jara bhi shock nahi huye the ye ashcharyajanak hai aisa nahi lagta aapko? Mea aapki bato se samadhan nahi hua hai? " Bhave ne kaha

"Aapke samadhan se mujhe kucch nahi karna hai inspector, irani ke marne ki news se main bhi shock hua tha lekin usse bhi jyada jo hamare beech contract hua tha uska khayal mere dimag main aa gaya, pichle kai salo se wo contract bas hum dono ke beech tha lekin unke khoon se ab wo jag jahir ho jayega ye main samajh gaya tha aur aisa hoga to iska parinam sirf mujhpar nahi hoga lekin iska viprit parinam is hotel ke inauguration par bhi padega aisa mujhe laga! "Lamba bolte bolte ruke fir kuch samay baad wapis bolna suru kiya "maine khud is case ki investigation ke liye ajit deshmukh ko hire kiya hai aur unhe ekdum kam samay main is case ko solve karne bola kyuki...." Ab lamba ajit ki or dekh kar bol rahe the "isse do bate hoti ek to obviously case solve ho jata dusra is contract ko lekar jo logo ka shaq mujh par banta wo khatam ho jata isiliye khuni inauguration ke pehle pakda jaye aisi meri icha thi"lamba ne apni baat puri ki

Tabhi bhave jor jor se naak se saas lene ki koshish kar rahe the jisse ajit lamba ke bolne pe concentrate nahi kar pa raha tha, bhave ka chehra laal ho gaya tha, shayad unhe sainas ki takleef ho rahi thi "inspector aapki tabiyat......"lamba ne kaha

"Main......main theek hu" apne sainas ko control karte huye bhave ne jawaab diya aur pucha

"Aur madhuri sen ke bare main kya kehna chahenge ?" Bhave

"Main samjha nahi ?" Lamba

"aap usse kab mile the??"

"maine wo aapko pehle hi bata diya hai....budhwar ko subah hotel main" lamba ne kaha

"uske pehle kabhi i mean budhwaar ke pehle aapne use kahi dekha tha ya mile the?"

"kabhi nahi, mujhe to aisa kuch yaad nahi" lamba ne kaha

"to fir dimag par jor daliye, aapki pehchan main aisa koi hai jo chahta hoki irani mar jaye, jisse use fayda ho" bhave

"nahi, mere paas jo bhi tha maine sab aapko pehle hi bata diya hai isme main aur kuch nahi add kar sakta " lamba ne na main garden hilate huye kaha

"theek hai, aapke diye samay ke liye shukriya" bhave ne kaha

sawal jawaab khatam ho gaye the par ajit ka ab bhi samadhan nahi hua tha, bhave jitna bata rahe hai usse jyada unhe pata hai ye wo janta tha, bhave uthe aur ajit ko ishara karke bahar chale gaye aur darwaja band hote hi ajit ne lamba ki or dekha

"ye sab aap mujhe pehle bata dete to acha hota" cigarette jalate huye ajit ne kaha

"ab tum mera tutorial mat lena" lamba ne chid kar kaha

"tutorial?? kaun le raha hai? aap main aur iranimain huye us contract ke bare main mujhe pata hota to shayad main ye case ab tak solve kar chuka hota, mere paas jitni jyada information hogi unti jaldi main ye case solve kar paunga aur abhi ke hisab se mujhe nahi lagta ki main saal bhar bhi ye case solve kar sakta hu" ajit

"kya lagta hai inspector ko mujh par to shaq nahi?" ajit ki bato ko najarandaj karte huye apne balo main se hath ghumate huye lamba ne pucha

"shaq to mujhe bhi hai aap par agar bhave ko shaq na hua ho to unhe police se resign kar dena chahiye" ajit ne kaha

"Mr. Deshmukh...." lamba ne kadak awaj main kaha

"shant ho jaiye, apne mujhse pucha tha uska main imandari se jawab diya, irani ke khoon ke bare main jaan kar sach much ap shock nahi huye??" ajit ne pucha

"maine bhave ko kya jawaab diya hai wo tumne suna hi hai" lamba

"aur unko bhi aapki baato par vishwas nahi hua hai is baat par main shart lagane ko tayar hu" ajit ne kaha

"deshmukh, aapko dusra koi aur kaam nahi hai kya?" lamba

"kaam to bahut sare hai aur usme se ek kaam maine abhi suru kar raha hu...kareeb ek mahina pehle aapne hilltop hotel main ek party attend kari thi aur us jagah beauty compitition ke ayojan ka natak kya gaya tha jabki kise select karna hai ye pehle hi decide ho chuka tha, mujhe us party ke bare main jaankari chahiye mere malumat ke mutabik us party main aap, daruwala aur irani teeno maujood the" ajit

"sahi hai, puchiye aapko kya janna hai" lamba

"aapne wo party fun ke liye attend kari the ya aur bhi kuch karan tha??" ajit ne pucha

"parties ab mere liye fun nahi hai mister ajit wo mere business ka ek hissa ban chuki hai, yaha hone wale beauty contest ka bhi final result kya hoga ispar meri aur mehra ki charcha ho chuki hai, mehra jo TV show tayar kar rahe hai uska kharcha aur usme ke main lead aur supporting role main kaun hoga iska decision pehle hi ho chuka hai"lamba ne kaha

"matlab contest main participate karne wali ladkiyo ko role ka gajar dikhaya ja raha hai aur jiska selection hua hai wo bhi to isme participate karne wali hogi na??" ajit ne kaha

"Mr. deshmukh kya aapse kabhi kisi ne kaha hai ke aap ek sardard hai, arre bhai baat to samjho mere bolne ka wo matlab nahi tha contest ka result to aane ka hi hai decide ye hua hai jo pehle round main 1st ayegi use main lead diya jayega aur baki ko supporting role ha matlab 1st kon aayegi ye thodehi decide hua hai, aur is charcha ka reason ye tha ki iski thodi purva kalpana hum participents aur hamare advertise wale aur jaurnalists ko bhi dene wale the, wo to chalega na?" lamba ne kaha

"irani malik hai ye unhone sabse chupaya kyu?" ajit ne lamba ke jawaab ko side karte huye pucha

"ye main aapko batane hi wala tha, isme rahasyamay aisa kuch nahi hai, maine kai saal mumbai film industry main bitaye hai, dadar ke jis gupta restaurent main aajke kai nami stars apne strugling period main udahari par khana khane aate the tab main waha waiter ke roop main kaam karta tha aage chal kar wo star bane aur main canteen contractor, catering services ka malik aur fir ek chote se restaurent ka malik aise dheere dheere pragati par tha, arthik paristithi se main kamjor tha lekin meri sab taraf pehchan thi, mumbai, madras, dehli har taraf, us waqt meri aur irani ki pehchan huyi aur fir dosti, unke paas paisa tha mere paas contacts the aise dono ka sangam ho gaya, irani ki bordi ke samundar kinare par hotel banane ki icha thi aur maharashtra paryatan vibhag ne dahanu-bordi vibhag paryatan skhetra ghoshit kiya aur viksit karne ka decision liya aur kai tarah ki chhut di jisse hotel royal palace ban paya aur uska malik bana ke irani ke mujhe aage kiya, meri politicion se pehchan aur press se ache sambandh hone ki wajah se hame milne wali publicity aur baki fayde dekhte huye irani ne mujhe working partner banaya, uska sleeping partner rehne ka dusra reason ye hai ke wo kafi introvert type ke insan the, alag alag business se paisa kaise kamana hai iska unhe bharpur gyan tha lekin char logo se milna unhe nahi aata tha, wo bahar aate the lekin kabhi kabhi.......aur kuch janna hai??" lamba ne apni puri kahani ajit ko bata di

"okk....ab mujhe ye case solve karne ke liye hulchal karni chahiye" ajit ne kaha
"Mr. deshmukh..." lamba ne kaha fir kuch soch kar na main ishara kar diya, ajit ne unhe dekha aur bahar chala gaya.....
 
Newbie
73
19
8
Update 29

"okk....ab mujhe ye case solve karne ke liye hulchal karni chahiye" ajit ne kaha

"Mr. deshmukh..." lamba ne kaha fir kuch soch kar na main ishara kar diya, ajit ne usne dekha aur bahar chala gaya

ajit lamba ke office se bahar aaya to bhave uska wahi intajar kar rahe the

"kuch nayi baat??" bhave

"unpar bahut sari chizo ka dabav hai, mera dimag abhi 50-50 par hai wo doshi ho bhi sakte hai aur nahi bhi" ajit ne shavdhani se kaha

"hmm,tumhari kafi madad huyi mujhe"bhave ne kaha

"hmm, par main ab jo batane wala hu usse aapki kitni madad hogi nahi janta par ek baat hai jo main batana bhul gaya tha" ajit

"sach main?" bhave

"jaldbaji main koi tark mat lagana bhave, pehle baat sun lo, kal raat mera ek aadmi se jhagda hua tha chota sa, wo contest main participate karne wali ek ladki jiska naam carol d'souza hai uske paas madhuri ke bare man puch tach kar raha tha" ajit ne kaha

"haa to?" bhave

"theek hai bhai, jane do maine socha tah ke aapko madhuri sen ka khoon unsolved case main na jaye aisa lagta hoga par...." ajit

"sahi socha tha, is bare main aur kuch jante ho?" bhave

"nahi, mujhe uska naam nahi pata, kal raat maine use antahpur main dekha tha waha hamara thoda jhagda hua lekin wo kaun hai mujhe pata nahi chala aur uske baad maine use abhi tak nahi dekha hai" ajit

"is mamle ,main kuch bhi pata chale to mujhe batana mat bhulna"

"jaroor!!"

bhave ne apni ghadi par najar dali

"o ho gyarah baj gaye, mujhe lagta hai tumhe apna kaam suru kar dena chahiye"

"kuch ghanto ka samay ab bhi hai mere paas aur uske baad jaldbaji ka koi matlab hi nahi hai" ajit ne kaha

bhave waha se nikal gaye aur ajit bhi lobby se nikal kar bahar aaya aur uski najre uspar padi, ajit ne abhi abhi have ko jis insan ke bare main bataya tha wo usse bas dus feet door tha, jaal daruwala ke sath baat karnewale us insan ko ajit ek pal main pehchan gaya tha, antahpur main shama ke chehre par cigarette ka dhua chhodne wala yahi wo jadiya tha....

"hi jaal !!!" ajit unke paas jate huye bola

"morning ajit!" jaal ne bhi jawab diya

"apne dost se nahi milwaoge" ajit ne jaal se kaha aur us jariye ki taraf dekha l, wo nadiya shayad jaal ka dost hoga aisa ajit ko laga isiliye ajit ne usse jaal ke jariye pahchan karni chahi wahi uske jariye ke chehre se saaf pata chal raha tha ke use ajit se koi baat nahi karni hai

"Acha ye, arre ye tapan banerjee hai hum abhi abhi mile hai" jaal

"Oh waise hum kal antahpur main mil chuke hai" fir tapan ki or dekh kar "kyu, yaad hai na?" Ajit ne pucha

Tapan ajit ko gusse se ghoor raha tha aur ajit ya tapan dono ne hath nahi milaya tha

"ye mujhse madhuri senke bare main puch rahe the" ajit ki or atrhpurn nigaho se dekhte huye jaal ne kaha "maine bhi kaha ke wo mujhe abhi tak dkhi nahi hai dikhegi to vatata hu"

"sahi hai"

"aur waise bhi aaj mujhe bahut kaam hai" ghadi par najar dalte huye jaal ne kaha aur ajit aur tapan ko dekha " inaugration ko chhod diya jaye to main apne office main hi rahunga ajit aap us program main rahenge na??" jaal

"may be"

"aap attend kijiyega" bolte bolte jaal ne fir ghadi par najar dadi " baap re gyarah baj gaye ajit aapko bhi meeting attend karni hogi na??" jaal

"meeting? arre ha yaad aaya" ajit ne kaha, ye contest ke judges ki meeting thi, waise to ajit ko is meeting main koi intrest nahi tha lekin lamba ke kehne ki wajah se ajit ko meeting attend karna jaruri tha

jaal waha se nikal gaya

"ek minute!!" jaal ke jate hi waha se nikalne wale tapan ko rokte huye ajit ne kaha aur tapan ruk gaya par uske muh se ek shabd bhi nahi nikla, ajit uske paas aaya

"aap madhuri ke bare main itni puch tach kyu kar rahe hai kya main jaan sakta hu?? agar aapko koi takleef na ho to...." ajit

"mujhe taklef hai....."tapan ne kaha

"theek hai fir kanoon se baat kar lena" ajit ne kaha, ajit ke bolne ka matlab samajhne main tapan to jyada waqt nahi laga

"police ka is mamle main intrest lena ka karan?" tapan ne pucha to ajit neapne kandhe uchka diye

"jaal ne jo kaha aapne suna na, madhuri yaha aane ke baad kisi ko dikhi nahi nahi, police shayad aapse is mamle main baat karna chahegi, aap jaal se madhurike bare main puch rahe the ye baat mujhe inspector bhave ko batani padegi, kal raat aapne carol d'souza se bhi is mamle main baat ki thi main janta hu" ajit

kuch pal waha shanti rahi, tapan ajit ke kandhe se piche ki or dekhta raha ur fir usne muh kholne ka decision le liya

"main uske bare main isiliye puchtach kar raha tha kyuki kal raat wo mujhse milne wali thi, milna na ho paya to phone karne wali thi lekin inme se kuch nahi hua isiliye...."bolte bolte tapan ruka "shayad hum dhono ki sdadi ki baat aage badhti"

"shayad?" ajit

"ha agar use talak mil jata to....."tapan

"wo shadi shuda thi aisa maine suna to tha..." ajit ne kaha

"wo ab bhi shadi shuda hai, wo halkat to use chhod kar chala gaya hai" tapan

"ye kab hua?" ajit

"ek saal pehle par aap ka inta sab puchne ka kya karan hai kya main jaan sakta hu??" tapan ne kaha

"aap mujhe inspector bhave ka dost samajh sakte hai" ajit bolte bolte ruka "aapko madhuri ke pati ka naam to pata hoga hi" ajit ne pucha

"Russi Mistry"kuch pal ruk kar tapan ne kaha tapan bola, ek pal ke liye ajit ko laga ke tapan uske sawal ka jawaab nahi dega aur use ekbaar fir police ka darr dikhana padega lekin use uske sawal ka jawab mil gaya tha "unki love marriage thi" tapan ne aage kaha

"aapko pata hai unki shadi registar kaha huyi thi??" ajit ne pucha

"mumbai main do saal pehle" tapan

aur uske dhoka kyu diya??" ajit ne pucha to tapan ne na main garden hilayi

"mujhe nahi pata lekin jate huye wo haramkhon madhuri ke modelling se kamaye hye paise bhi le gaya" tapan gusse main bola fir ajit se pucha "madhuri....wo kaha hai aapko pata hai kuch?"

"abhi main is mamle main aapki koi sahayata nahi kar sakta lekin baad main mujhe is bare main aapse kuch baat karni hai aap hotel royal palace main hi ruke hai na??" ajit

"nahi main resthouse ke samne anandparvat naam ke hotel main tehra hu" tapan ne kaha

"kal raat maine aapko carol ke sath baat karte dekha tha uske baad aapne kya kiya? aapne party attend ki thi?" ajit ne pucha

"main party main pandhra minute tha aur madhuri ko hi dhund raha tha, waise to mujhe yaha aana jaruri nahi tha, main royal palace main bas adha ghanta ruka hounga...." tapan

tapan jo bhi keh raha tha ispar ajit ko pura vishwas nahi ho raha tha lekin ye sach hua to kal raat uspar hamla karne walo ki list main se use tapan ka naam nikalna padeg, waise to ajit ko bhi lag raha tha ke tapan wo hamla nahi kar sakta lekin agar kiya hota to bhi tapan wo kabool karne wala nahi tha...

tapan se milne ke baad ajit ne bhave ko dhundne ki koshish ki lekin wo kabke ja chuke the, ajit ne police station ka number dial kiya kyuki bhave ka number uske paas nahi tha to pata chala ke bhave ab tak police station nahi pahuche hai, kuch samay baad ajit ne dobara phone lagaya to is baar bhave police station pahuch chuke the, ajit ne tapan ke paas se mili huyi sari information bave ko di

"thank , par uska nam madhuri mistry hai ye mujhe pehle hi pata chal gaya tha, uske car ka number plate nikal diya gaya tha jisse thodi takleef huyi lekin engine number aur chasis number ki madad se RTO se hame uska naam pata chal gaya tha lekin uske pati na naam nahi pata chala tha" bhave ne kaha

"aap mumbai ke registrar of marriages ke paas confirm kijiye" ajit

"main wo hi karne wala hu, do saal pehle russi mistry aur madhuri sen barobar na?"

"haa, tapan ke paas se isse jyada pata nahi chal paya aur bhave aapko jo bhi pata chalta hai mujhe batana mat bhuliyega"

"theek hai main tumhe baad main phone karta hu" bhave ne kaha

bhave ko kiye gaye do phones ke dauran ajit ne shama ko call kiya tha lekin usne phone nahi uthaya ab usne fir se ek baar shama ko number lagaya lekin us baar bhi uske hath nirasha hi lagi fir kuch pal soch kar usne rati ko phone lagaya aur dusri hi ring par phone uth gaya aurrati ka sumudhur awaj ajit ke kano main pada

"darling, aaj hotel ka inaugration hone wala hai to us program ko ham sath main attend kare to..?" ajit

"I would loved to par main tumhe company nahi de paungi" rati ne kaha

"kyu??" ajit

"kyuki main kisi aur ke sath waha rahungi na" rati

"kiske sath??"

"usne mujhe abhi phone kiya tha, tum agar dus minute pehle phone karte to shayad main use mana kar deti par ab ye possible nahi hai aur subah se tumne mujhe pura ignore kiya hai.." rati

"ingore aur tumhe!! khair jane to mujhe us khushnaseeb ka naam pata chal sakta hai?"

"wo main tumhe nahi bata sakti!!" rati ne kaha

" bata nahi sakti matlab?"

"usne mujhe ye secret rakhne kaha hai, wo dophar main mujhe recieve karne aane wala hai aur tabhi mujhe ye bat secret rakhne ka reason batayega aur usne mere liye kuch khas ayojan kiya hai!" rati ne kaha

"lekin ek anjaan aadmi ke sath..."

"tum uski chinta mat karo main tumhe abhi hamari meeting ke samay milti hu" rati ne kaha

"theek hai I will reserve a seat for you" ajit

"uski jarurat nahi hai main mehra ke sath rahungi"

"rati agar tum mujhe taalne ki koshish kar rahi ho to saaf bata do...."

"waisi koi baat nahi hai main tmhe baad main sab batati hu" rati ne kaha aur phone band ho gaya, ab ajit ke dimag main us anjaan wyakti ke ki khayal aa rahe the usne ghadi ki or dekha gyarah baj gaye the wo meeting room main aa gaya aur sabke aate hi mehra ne bolna suru kar diya aur uske baad wo lagatar adha ghanta bolte rahe, ajit un lambe bhashan aur suchnao se pak gaya tha aur akhir meeting khatam huyi aur wo bahar aaya
ajit ko shama ki kafi yaad aa rahi thi aur is baar usne shama ko phone nahi kiya balki sidhe uske room par pahuch gaya aur is baar ajit ka luch acha tha, shama room main thi..........
 
Newbie
73
19
8
Update 30

ajit ko shama ki kafi yaad aa rahi thi aur is baar usne shama ko phone nahi kiya balki sidhe uske room par pahuch gaya aur is baar ajit ka luch acha tha, shama room main thi..

Ajit ne bell bajayi..

Darwaja adha khula aur wo madak, purushatva ko jagane wali katil najar ajit ki najro se mili, ek pal ke liye, aur dusre hi pal wo aankhen ashcharya se badi hoti chali gayi aur darwaja aur jyada khul gaya

"Hi, darling Ajit, wahi to main kahu kyuki hanif ko itni jaldi aane ki adat nahi hai" shama e aankhen badi karte huye kaha

"Ya shayad main hi thoda jaldi aa gaya " ajit ne kaha aur shama ki or dekha, wo abhi naha kar aayi thi is wajah se ekdum fresh dikh rahi thi, pani ki boonde uske sharir par chamak rahi thi aur uske baal aur bhi jyada reshmi lag rahe the, usne apne sharir par lapeta hua towel jaldi jaldi main lapeta hai ye dekhte hi samajh main aa raha tha

"main abhi naha kar aayi hu, mujhe inauguration ceremony attend karni hai, tum ander aao na"shama ne kaha

"Kaha bathroom main??" Ajit ne pucha to shama uski baat sun kar hasne lagi

"Tumhe bathroom main jana hai to jao mujhe baar baar nahane ki adat nahi hai"

"Jaroor par pehna na tum darwaja ache se band karo taki gardi ander na aane paye"ajit ne ander aate huye kaha

"Gardi??"

"Arre tumhare kai diwane tumhare room main aane ke liye utawale honge na isiliye leh raha hu jaldi se darwaja bad kar do "ajit ne kaha

"Wo sab ho jayega par pehle tum apni aankhen band karo"shama ne kaha

"Aankhen kyu band karni hai? Abhi to aaya hu main "ajit

"Please, mujhe mera towel sahi karne do "shama ne kaha to ajit ne apni aankhen band kar li

"Ok ab tum apni aankhen khol sakte ho maine apna towel sahi kar liya hai " Ajit ke kano main shama ka awaj gira to usne apni aankhen kholi air shama ko dekhne laga

"Janti ho is mamle main hamare khayalat bilkul alag hai, towel na pehle hi sahi tha" shama ke sharir par se najar ghumate huye ajit ne kaha, us awasta main shama itni sunder dikh rahi thi ke use dekh kar vishwamitra ki tapasya bhi bhang ho jati

"Tum baitho main ek minute main tayar hoti hu aur tumhe bhi to janna hoga na ki maine hanif se kya baat ki hai" shama ne kaha

"Haa"

"Maine usse pucha tha, madhuri usse mili thi aur usne use irani se milne ki icha batayi aur wo appointment nahi le sakti isiliye hanif uski madad kar aisa bhi usne kaha tha"

"To kya hanif ne madad ki?"

"Pata nahi, is bare main hanif ne kuch nahi bataya , uski yahi buri adat hai use agar kisi bare main baat nahi karni to aap kuch bhi kar lo wo muh nahi kholega "

"Mujhe bhi aisa hi kuch laga tha, madhuri hanif se kab mili thi?" Ajit

"Guruwar ko wo usse milne estate par gayi thi"

"Ambetpada ko??"

"Ha , char baje ke aas paas. Gin loge??"

"Kyaa??"

"Gin. Nahane jane ke pehle maine gin ka peg tayar kiya tha, aaj ki dophar achi bite isliye mere paas yahi ek upay tha, us boring inauguration main wo sadu se bhashan sunna kise pasand hai"shama ne kaha

"Main generally dophar main gin nahi pita hu par ab tum itna keh rahi ho to ek le aao ek peg........par sirf ek hi"ajit ne kaha

"Bas ek hi pyale se to sab jhol hota hai" shama ki madak najar chama rahi thi "maine puri bottle main cocktail bana kar rakha hai, Gin and Beer!!"

"Gin aur beer? Ye kis desh ka cocktail hai?" Ajit

"Made and invented by Shama " shama ne kaha aur bottle main se do glass bharne lagi

"use irani se kyu milna tha ye bataya madhuri ne ??" ajit ne pucha

"nahi. tumhe beer ke glass use karne padenge yaha dusre glass nahi hai" shama ne kaha, usne do glass bhare ek ajit ko diya aur dusra khud liya

"aaram se baitho yaar" shama ne kaha,

ajit aaram se bed par baith gaya, shama ki room waise to choti thi lekin badhiya tarike se sajayi huyi thi, ajit aaram se bed par baitha aur usne drink ka ek ghut liya

"iski maa ka...." achanak ajit ke muh se nikal gaya

"bahut strong hai kya??" shama ne pucha

"na...na bahut badhiya par ek request hai, aainda ye bhanayak cocktail kisi aur ko mat dena!!" ajit ne kaha

"kyu, tumhe pasand nahi aaya?" shama

"nahi nahi bahut badhiya hai, us cobra kiss ke mukable ye shama mix jyada acha hai"

"fir aise alag alag chehre kyu bana rahe ho?"

"bas chehre hi bana raha hu, arre kitna kadwa ho gaya hai ye"

"maine usme gin thodi jyada milayi hai, isse tumhe bhookh lagegi" shama ne kaha

"bhookh to abhibhi lagi hai" ajit ne kaha aur kuch pal waha shanti fail gayi, ajit ne shama se uske roommate ke bare main pucha to pata chala ke wo kahi bahar gayi hai, ajit ne apna baki ka drink khatam kiya

Gin beer ka cocktail apne dimag par havi hone laga hai aisa ajit ko mehsoos hua aur isse acha to BC zehar le lete aisa use laga

"shama!!" akhirkar ajit ne kaha

"bolo"

"hanif ne tumhe aur kuch bataya kya??"

"maine tumhe bataya bas utna hi, madhuri ko irani se jald se jald milna thaaur isiliye use hanif ki madad chahiye thi aur wo usse jaroor milenge aisa bhi usne hanif ko kaha tha aur ha yaad aaya use irani ki beti ke bare main kuch charcha karne ke liye irani se milna tha" shama ne kaha

"inari ki beti ke bare man? wo nera ke bare main bol rahi thi kya?" ajit

"shayad! uske alawa aur kaun hoga, usne hanif ko bas itna hi bataya tha aur uska message irani tak pahuchane ki request ki thi" shama ne kaha

"interesting! shama agar tumhe hanif mile to usse bas itna pata lagana ki kya madhuri irani se mili thi please"

"jaroor, main usse jald hi milne wali hu waise mujhe pehle kapde pehan lene chahiye" shama ne kaha

"jaroor nahi to kuch anarth hone ke chances hai" ajit ne kaha, usne dimag par ab gin beer ka nasha havi hone laga tha, pet main bhok ke mare aag lagi huyi thi aur uska karan bhi tha ke ajit ne kal raat se kuch nahi khaya tha aur subah bhi wo bas chai pi kar nikal gaya tha

"madhuri ka itna jyada importance hai kya?? matlab uske aur irani ke milne ka" shama ne pucha

"tum jitna soch rahi ho usse bhi jyada isiliye tum jitna jaldi hanif se information nikalogi utna acha hoga" ajit ne kaha

"main jald hi hanif ka muh khulwa lungi"

"badhiya!!"

"one more??"

"mere glass main ab bhi thodi bachi huyi hai par....."

"main barf pighalne ke pehle glass bharti hu" shama

shama hath main pitcher lekar ajit ke sdamne khadi thi aur jhuk kar gin beer uske glass main daal rahi thi, usne uske towel ki gath piche bandhi thi aur uske chalne se hulchal karne se wo gath dheeli ho rahi thi aur ajit ki najar us gath par hi thi aur har bitte pal ke sath wo gath aur bhi jyada dheeli hoti ja rahi thi par shama ko uska khayal hi nahi tha wo bindass idhar udhar ghum rahi thi aur wo towel kuch hi palo main gir sakta hai ye ajit bhap gaya tha

Towel shama ke unnat urojo par se thoda niche ghasra "shama" ajit ne kaha, kya hua hai iski khabar hote hi shama chauk gayi usne towel sambhalne ki koshish ki....aur yahi gadbad ho gayi
ek hath se wo ajit ke glass main cocktail daal rahi thi ajit ke awaj dete hi usne dachak kar ek hath piche kiya, towel sambhalne ke chakker main uske hath main ka pitcher ajit ke glass par gira aur ajit par gin beer ki varsha ho gayi "oh no" shama ke muh se awaj aayi, wo towel sambhal nahi payi usse pehle hi towel uske sharir se door ho gaya tha aur gori shama ab puri tarah se nirvastra awastha main ajit ke samne thi....
 
Newbie
73
19
8
Update 31

ek hath se wo ajit ke glass main cocktail daal rahi thi ajit ke awaj dete hi usne dachak kar ek hath piche kiya, towel sambhalne ke chakker main uske hath main ka pitcher ajit ke glass par gira aur ajit par gin beer ki varsha ho gayi "oh no" shama ke muh se awaj aayi, wo towel sambhal nahi payi usse pehle hi towel uske sharir se door ho gaya tha aur gori shama ab puri tarah se nirvastra awastha main ajit ke samne thi....

Sab achanak hua tha, kuch seconds tak wo stithi bani huyi thi par wo kai yugo jaise the, glass aur pitcher jamin par pada hua tha aur uske hi baju main shama ka safed tarkish ka towel astvyast awasta main pada hua tha, shama apna towel uthane ke liye jhuki aur uski madad karne ke hetu se ajit bhi aage aaya aur najane kiye samay wo us dhakkadayak stithi main khade the, Ajit nishchal ho gaya tha , pehle to uske pant par gire gin beer ki wajah se aur ab shama ke sangemarmar jaise shubhra ghatdaar sharir ke darshan se. Sampoorn nagnawasta main khadi shama usse jyada se jyada ek foot ki doori par khadi thi .

Halki si jhuki huyi shama sidhi khadi huyi, uski saanson ke sath uske season ball ke jaise bhari aur gol sthan ek lay main uper niche ho rahe the sath hi uske phoolo jaise hotho ko halki si hulchal bahut mohak thi.

Us pal exact kya hoga iski koi bhi shashwati ajit nahi de sakta tha, is waqt ajit ke antarman main alag alag anubhuti nirman ho rahi thi. Apni pant geeli hai ye uske dhayan main aa gaya tha lekin shama par se najar hatane ki uski icha nahi ho rahi thi par apne sharir par beer aur gin ka varshav hua hai ke baat uske dhayan main thi. Wo shama ki or dekh hi raha tha tabhi shama ne apna towel utha liya tha. Dusra koi waqt hota to is baat ke liye ajit sharmsaar hua hota lekin is baar uska man jaise bhavnavivash ho gaya tha. Gin ka uspar jitna asar kabhi nahi hua tha utna abhi hua tha,

"Shama" ajit ne kaha, uska awaj use hi pehchan main nahi aa raha tha

"Kya?"

"Wo gin ki bottle, uspar kavti aur haddi aise hi kuch drawings hai na?"

"Nahi uspar to ek ladki bani huyi hai"

"Ladki?"

"Haa ek sunder ladki"

"usse kya farak padta hai? ladki to ladki hoti hai"

"uske hath main gulab ka phool hai"

"gulab ka phool....."

"aur uspar bas Gin likha hua hai"

"achi baat hai shama ab humne bhi kuch thos karna chahiye" ajit

"tum ab tumhari pant utaro" shama ne kaha

"hame...........kya kaha??"

"apni pant utaro"

"pant utaru??"

"ha uspar ke beer ke daag dho kar istri kar deti hu" shama ne aage kaha

"tum majak kar rahi ho na shama!!"

"bas paanch minute lagenge usse kuch fark nahi padega"

"arre par isse koi fayda hoga kya?"

"ajit itna ghabrao to mat"

"huh ajit ki dictonary main ghabrane jaisa shabd hi nahi hai baby"

"tumhari pant utaro" jamin par pair patakte huye shama boli

"firse ek baar kehna jara....!" ajit ne kaha

"ajit, chup chap apni pant utaro nahi to...."

"theek hai theek hai" ajit apni pant utarte huye bola aur uski pant lekar shama bathroom main chali gayi aur ajit apne khayalo main kho gaya, usne jab aankhen kholi to shama ne istri ke wire kaplug socket main laga diya tha

"ab tum mere pant ko istri karne wali ho??"

"ek hi baat main kitni baar batau?"

"sorry, bhool gaya tha"

"ye beer ka daag dhona jaroori tha aise hamara bahar jana theek nahi tha" shama ne kaha, usne towel ab sahi kar liya tha fir bhi uski humchal chalu hi thi jisse wo firse dheela ho raha tha

"shama tumhe pata hai, baki kapdo ke mukable tum is towel main jyada sunder dikhti ho" ajit ne kaha

shama ne ajit ki or shararati najro se dekha aur is pal main kuch na kuch to hoga aisa ajit ko rah rah kar lagne laga aur ajit shama ki or aage sarka, shama bhi istri baju man rakh ke uske paas aayi, usne dheeli pad rahi towel ki gath man se hath ghumaya aur towel ki bandish door ho gayi. is baar shama ne towel sambhalne ki koi koshish nahi ki thi

shama ki ankhon main ajit ne ander tak jhaka, unme bas ab pranay ki aturta dikh rahi thi, shama ki ajit ke paas aayi aur ajit use baho main bharne hi walatha ke.....

unke kano main kaan ke parde fadne wala awaj aaya, wo awaj darwaje ke bahar se aaya tha, ajit ka bhale hi uske man par niyantran nahi tha lekin uski shravan shaki jagrut thi, jisne bhi wo awaj kiya tha wo baukhalayi huyi manstithi main tha aisa ajit ne tark kiya

"tumne wo awaj suni??" ajit ne shama se pucha

shama ke chehre poar ke haavbhav jaldi jaldi badal rahe the wo kuch bolne hi wali thi ke fir ek bar awaj aaya

"lagta hai koi darwaja todne ki koshish kar raha hai" ajit ne kaha

"wo kabhi bell nahi bajata hai" shama ne kaha

"wo?? wo kaun?? tum to aise bol rahi ho jaise main use janta hu"

"ajit.....kuch karo.."

"haa, acha khayal hai lekin main kya karu??" ajit ne pucha

shama ek kadam piche hati aur room par ek najar daudayi aur ajit ka kya kiya jaye is bare main wo sochhi rahi thi ke darwaje fir baj utha

"ek minute?? kaun hai??" shama ne chila kar pucha, ab ajit ka dhayan bhi shamapar nahi tha

"kaun hai se kya matlab hai ab kya tumse milne donald trump aayega" darwaje ki us or se gurrane jaisa awaj aaya

"acha idea hai" shama ne chillakar kaha aur fir dhime awaj main ajit se boli " ajit tum jaldi bed ke niche chup jao"

ab bas shama ki baat hi maanni hai aisa ajit ne soch liya aur bed ke niche chup gaya tabhi ek baar fir darwaja thokne ki awaj aayi

"ek minute hanif!! main bathroom main hoon" shama ne chilakar kaha

"jaldi!!"

aur akhir main kuch minute bitne ke baad shama ne darwaja khola

"hi darling!"

bed ke niche pade pade ajit ko shama ke gore balorahit pair dikhai de rahe the aur kuch hi palo main uski najar man aur do pair pade jinhe dekhte hi akjit ko hatti ke pairo ki yaad aa gayi, hanif ne white color ka suit pehna hoga aisa ajit ne uske pant par se tark kiya aur ye sala hanif isne aain mauke par teesri baar ajit aur shama ka kaam bigada tha

"main ek minute main tayar hoti hu" shama ne kaha

"maine tumse kaha tha na ke main sadhe gyarah se paune bara ke beech pahuch jaunga"

"main bhool gayi thi" shama ne kaha

"ye koi bhulne wali baat huyi kya"

"arre bhool gayi to bhool gayi usne kya hai acha mani kapde pehanti hu tab tak tum bahar khade raho na mere raja"

"theek hai baby"

shama aur hanif ki baat sun kar ajit ne rahat ki saas li, hanif darwaje ke bahar khada rehne wala tha aur shama kapde pehan kar bahar jane wali thi uske kuch minto baad ajit aaram se waha se nikal sakta tha lekin iska ye matlab nahi tha ke ajit hanif se darta tha, bilkul nahi

ajit ne apne career main hanif sando jaise bahuto se samna kiya tha usme se kuch to hanif se bhi jyada takatwar the par ajit abhi sirf jhagda taal raha tha kyuki jaise kisi bhi jhagde se koi fayda nahi hota hai waise bhi is jhagde se bhi koi fayda nahi hone wala tha ulta isse shama ke liye baat bigad jayegi ye baat ajit janta tha aur sath hi agar jhagda hua to iska parinam dono ke liye hi kleshdayak hoga isiliye ajit jhagda taal raha tha kyuki wo jhagda klarne to waha aaya nahi tha na isiliye hanif bahar rah dekhne ko tayar hai ye sun kar ajit ne rahat ki saas li
lekin ye to abhi bas surwat thi.......
 
Newbie
73
19
8
Update 32

ajit jhagda taal raha tha kyuki wo jhagda karne to waha aaya nahi tha na isiliye hanif bahar rah dekhne ko tayar hai ye sun kar ajit ne rahat ki saas li

lekin ye to abhi bas surwat thi............

"theek hai ain bahar raah dekh raha hu tum jaldi se tayar ho jao" hani ne kaha aur jane laga tabhi "ek minute...wo kya..."

"kya??"

"wohi to main puch raha hu!!" hanif ne kaha

"par tum puch kya rahe ho??" shama ne pucha

"ye main kya dekh raha hu??" hanif ne gusse man pucha wahi hanif ne aisa kya dekh liya jisse uska aaj itna khunnas bhara ho gaya isi bare main ajit soch raha tha

"waha...wo pant hi hai na??" hanif ne pucha

apna pura sharir thanda padne ka ajit ko abhas hua aur chupte huye wo pant pehanna kaise bhul gaya is baat se use acharaj ho raha tha aur apni is galti ke liye wo khud ko hi galiya bak raha tha aur ab is jagah se uska itni asani se nikalna sambhav nahi hai ye baat usne dimag main bitha li

"shama tum gents pant ko istri kar rahi hi??" hanif ne pucha

"haa!!"

"kya??"

"maine jo kaha tumne suna na, main gents pant ko istri kar rahi thi" shama ne kaha

"kiski pant hai wo?"

"mere dost ki"

"ramu ki hogi aisi mujhe asha nahi hai"

"hanif tum itna chidhte kyu ho"

"pehle mujhe ye batao ki wo haramkhor kaha hai jo tumhare sath tha use to main aisa sabak sikhaunga ki dobara kisi ladki ki taraf dekhega bhi nahi aur signal par tali bajate huye paise mangega" hanif ne gusse main kaha

"hanif faltu main dimag main utti sidhi bate mat lao yaha hum dono ke alawa teesra koi nahi nahi" shama ne saaf jhooth bol diya, "wo mere bhai ki pant hai"

"sachme!!" hanif ne upahas karte huye kaha

"dekho itne utsahit mat ho" shama ne kaha

"kya lagta hai main itna utsahit kyu hua hounga??" hanif ne usi awajmain fir pucha

"main bhi wohi janna chahti hu"shama ne kaha

"kyuki tumhara koi bhai hi nahi hai" hanif ne kaha

"nahi...mera bhai hai par maine tumhe uske bare main nahi bataya"

"aur mujhe na batane ka karan?" hanif ne shaq se pucha

hanif kewal irshalu hi nahi balki shaki aadmi bhi hai, ajit ne socha, par dusre hi pal use apni soch par hasi aa gayi, apni premika ko agar apan dusre aadmi ki pant istri karte dekhte to apan bhi uspar shaq karte ye ajit janta tha para yaha ye vishay lamba ho sakta tha lekin shama ne apni chaturayi se bat badal di

"hanif baby....."shama ne shararati awaj main kaha "maine tumhe us madhuri sen ke bare main pucha yaad aya?"

"ha pa wo pant"hanif pant chhodne ko tayar hi nahi tha

"pehle meri baat to suno, usne tumse irani se milne ke liye madad mangi thi to kya tumne uski madad ki thi?"

"lekin usse tumhe......."

"hanif iska mahatva bahut jyada hai agar aisa na hota to main tumse ye sawaal nahi puchti"shama ne gambhir awaj main kaha "aur agar tumne mere sawal ka jawab nahi diya na to main tumne kabhi.... kabhi baat nahi karungi" aur isi ke sath shama ne apni bato ka hukmi brahmastra hanif par chhod diya

"theek hai batata hu ab ye nautanki mat karo. maine irani se baat ki aur wo usse milne ko tayar bhi hogaye the aur maine fir irani ka message ustak pahuchaya ki wo milne ko tayar hai"hanif ne kaha

"aur ye ghatna kab ki hai?"

"tumhe usse........ gurwar dophar ke baad ki, maine tumhe bataya hi hai ke irani se use sham ko paanch baje milne ka samay diya tha, kal subah uski mujhse phone par baat huyi thi, main uswaqt gate par hi tha to maine use aane ko kaha" hanif kuch seconds ruka "hamare bangle ke gate par hamesha tala rehta hai aur uski chabi mere paas hoti hai isiliye main tumhe kal chhe baje tak mil nahi paya tha mujhe der ho gayi thi"

"theek hai ab tum jara bahar rukoge?"

"ek minute..."

"ab kya?"

"chup raho mujhe sochne do, ha yaad aaya, wo haramkhor bhi mujhe uske aur irani ke bare main sawal puch raha tha, wo bander agar dobara mere hath aaya na to....ajit dekhmukh haramjada sala...."

"hanif please..!" shama ne kaha "tum agar chup nahi huye na to main tumse........"

"arre yaar baar baar wohi baat" hanif ne kaha lekin shama ne use jaise taise shant karwa hi liya.

ye agar aise hi chalta raha to apni pant to bhaiya sukhne se rahi aisa ajit ko lagne laga, bed ke niche choti si jagah main ajit pasine se pura tarbatar tha, isse pehle bhi wo kai jagah chup chuka thalekin bed ke niche ye first time tha aur ye anubhav itna sukhdayak nahi tha par ajit bhi ghabrakar rann chhodne walo main se nahi tha aur kisi na kisi tarah se yaha se jald se jald kaise nikla jaye wo bas isi bare main soch raha tha

"ek minute....wo pant...." hanif ne kaha, kuch pal shanti fail gayi, istri ke table ki or jate huye hanif ke pairo ka dumdaar awaj ajit ke kano mai aa raha tha, wo ab uske dayi or tha

"arre ye main jamin par kya dekh raha hu?? wo pitcher aur glass nahi daru ke glasses" hanif ne kaha aur ab apan bure fase hai ye ajit jaan gaya

apan ne shama ke sath gin lekar bahut badi galti kar di hai aisa ajit ko palbhar laga, ab to bas ladkiyo ka chakker chhod dekna chahiye aisa khayal bhi uske dimag main aaya fir dusre bhi pal usne socha ki ladkiyo ka picha chhodne se to marna behtar hai...

"aur sath hi maine tumhe di huyi gin ki bottle bhi hai? my god tumne akeli ne puri khatam kar di?" hanif ne pucha

hanif ke puchne ka tarika kuch aisa tha jaise pina to chhoda balki us bottle ko kholne ka adhikar bhi shama ko nahi tha, wo bottle jaise showpiece thi par iske liye hanif jawabdaar tha, usi ne wo bottle layi thi ya shayad kisi shart main jeeti thi, pi aur pi aisa ajit ne khud se kaha

hanif ne mud kar shama par najar dali, wo sharir se hanif ke tod ki nahi thi par uska parinam hanif ke punch jitna hi pranghatak tha, ajit bed ke niche se apne dono hatho ka safai se prayog kar sakta tha par wo ye bhi janta tha ke wo bed ke niche adchan bhari jagah main hai, hanif ki tange usse bas do se teen feet duri par thi pal bhar ko use laga ki hanif ki tange kheech kar use niche gira diya jaye par fir usne wo khayal chhod diya kyuki isse us rakshas ko kuch farak nahi padna tha, ajit ne kano main sham ka awaj aaya aur uska vichar chakra ruk gaya

"hanif main tumse behas nahi karna chahti par agar tum aisa paglo jaisa....oh no!!" shama ne kaha

is oh no ka matlab ajit samajh gaya tha, shama ne isbaar bh ekdum safai se baat badal di thi bas isbar tarika alag tha, shama ka safed towel firse ek baar jamin par gira hua ajit ko dikha, ek baar achanak se to do baar jaanbujh kar wo towel jamin par tha ya yu kahe ki teeno baar wo towel janbujh kar gira tha, kuch bhi ho par behas kab karni chahiye ye hanif janta tha, uske baad kuch hi palo main un kabutaro ka gutur gu us room main chalu ho gaya.....

ajit ke aise shauk nahi the ke wo hanif ko shama ko un halato main dekhta isiliye usne apna pura dhayan apne case par lagaya, wo is case ke bare mani suru se sochne laga, uske hath main ab tak jo jo surag rage the shayad unme ekdusre se jod kar is case ka hal nikal jaye aur waise bhi is samay ajit sochne ke alawa kuch kar bhi nahi sakta tha, wo pasine se pura tarbatar ho chuka tha

"hanif, inaugration ka time ho raha hai mujhe jana chahiye" shama ne kaha

"ek minute..." hanif

shayad bara baj chuke the aisa ajit ko lagato usne ghadi par najar dali to wo chauk gaya, bara bajne main ab bhi 10 minute bache the aur agar ajit inaugration ke pehle ye case solve nahi kar paya to shayad wo 9 lakh 90 hajar se hath dho baithne wala tha waise lamba use 10 lakh denge aisa unhone wada bhi nahi liya tha khair....ajit fir se pura case revise karne laga..

Is pure mamle ke centre main madhuri sen thi, budhwar ko aane ke baad sabse pehle usne lamba ke paas irani ke bare main baat ki fir usne jaal aur nera ko dekha uske baad kuch particepents se nera aur minochar irani ke bare main sawaal puche aur baad main usne apni puchtach ka kendra minochar irani ko banaya aur akhirkar wo hanif taak pahuchi. usne apni aur inari ki mulakat karane ke liye hanif se madad mangi aur abhi abhi jo shaama ne hanif se pata kiya tha us hisab se dusre din shaam ko sadhe paanch baje wo unse milne ambetpada gayi thi, hanif waha maujood tha. us jagah kya baat huuyi ye ajit nahi janta tha. Bhave ke kahe anusar ambetpada se goli ki awaj aane wala phone 6 baj kar atthais minute par aaya tha

Madhu aur irani ka khuni koi teesra bhi hota fir bhi abhi ajit ki najro main char log shaq ke ghere main the, khud narendra kumar lamba, jaal daruwala, tapan banerjee aur hanif sando. Par ab is list main se hanif na naam nikal gaya tha, usne kisi ka khoon nahi kiya tha, atleast pistol se to nahi aur main baat ye thi ke wo khoon ki shaam ko chhe baje shama se mila tha jiske adhe ghante baad ye ghatna ghati. Us raat ajit par goli maar kar bhagne wala vyakti hanif hota to chehra na dikhne par bhi uske sharir se ajit use pehchan leta. Ajit ne hanif ka naam list se hata diya tha ab bas jaal , lamba aur banerjee teeno hi bache the aur ek random guess ye tha ke nera ne hi apne baap ko goli mari ho par iske chances kam isiliye nera ke milte hi usse baat karne ki ajit ne than li. Aur fir se apna dhayan madhuri par lagaya

Uski shadi ho chuki thi aur usne apne pati ko hotel royal palace main dekha tha... Tapan banerjee ke kahe anusar madhuri ka pati uske kamaye paise lekar bhag gaya tha aur rati ke anusar......

Rati.....achanak ajit ne man main dhoke ki ghanti bajne lagi...usne pehle rati se akele main jo sawal kiye the unpar dhayan lagaya aur baad main usne wohi sawal rati se lamba aur daruwala ki hajri main puche the jiska har shabd undono ne suna tha agar unme se koi khuni hua to......

Ajit ne man main khal bali machi huyi thi sunne ghadi par najar dali to inauguration main abhi kuch minto ka samay baki tha, har bitta second ajit ke liye important tha, kuch hi minto main Hotel royal palace ka bhavya inauguration hone wala tha aur har koi waha maujood hoga ye ajit ko pata tha.

Usne fir se apna dhayan lamba aur daruwala par lagaya aur dono main se koi ek khuni hai aisa suppose kiya to jis raat usne rati se sawal kiye the uske baad use khatam karne ki koshish ki gayi thi aur iske piche kuch to reason tha aur yehi reason rati ko khatam karne ke liye bhi kafi tha aur shayad us raat us khuni ne rati ko marne ki koshish bhi ki hoti lekin rati bach gayi thi kyuki ajit puri raat uske sath tha

Rati ka khayal ajit ke dimag se nahi ja raha tha aur uske bare ajit ki chinta hal pal ke sath badhti hi ja rahi thi, sharir kar rongte khade ho gaye the. Ajit ek pal ruka, jis karan ki wajah se ajit ka khoon karne ki koshish ki gayi thi usi karan se uski rati ka khoon karne ki icha hogi to?? Ab sawal ye tha ke wo insaan kaun hoga?? Aur ajit aur rati ko khatam karne ke piche ka uska uddeshya kya hoga ?? Ab apan is case ke tah tak pahuch rahe ye iski kalpana ajit ko ho gayi aur agar kal raat apan rati ke sath na hote to shayad uska khoon ho jata ye bhi uske samajh main aa gaya, achanak uski saas ruk gayi, sharir par kate aa gaye, use samajh main aa gaya tha, kal nahi to aaj. Is samay khooni rati ke sath tha aur har insaan inauguration ko attend rehne wala tha..

Aur rati kisi anjaan vyakti se milne wali thi aur us insaan ne apna naam gupt rakha tha aur rati ke liye us insaan se kuch khas plan kiya tha aur apni mulakat main hi wo apna naam gupt rakhne ke piche ka karan batane wala tha....
Wohi Khooni tha..........!
 
Newbie
73
19
8
Update 33

Aur rati kisi anjaan vyakti se milne wali thi aur us insaan ne apna naam gupt rakha tha aur rati ke liye us insaan se kuch khas plan kiya tha aur apni mulakat main hi wo apna naam gupt rakhne ke piche ka karan batane wala tha....

Wohi Khooni tha..........!

ajit bas ektak apne hath ki ghadi ko dekhe ja raha tha, kitne baj gaye hai iska bhi use koi khayal nahi tha, hal pal ke sath aage badhta hua second kata use sakshat yamdoot ki tarah lag raha tha, kaal apni gati se age bad raha hai aisa ajit ko mehsoos hua, ajit rengte huye aage badha, har second mahatva ka tha, har bitta hua pal rati aur maut ke beech ki duri ko kam kar raha tha par ajit koi halchal nahi kar sakta tha, faltu main dhoka uthane ki uski tayari nahi thi

rengte huye bahar nikalne ki koshish wo kar raha tha achanak wo ruka, is waqt wo kuch bhi sidhe tarike se nahi soch pa raha tha, usne apne dimag ko ek jhatka diya, is pal agar koi gadbad huyi to wo rati ko kabhi nahi payega aur shayad ab bhi der nahi huyi thi par uske liye rati ke, darr ke khayal dimag se nikal kar aaram se sochne ki jarurat thi aur uske baad har hulchal yogya hoga avashyak tha, ajit ne agle kuch second use aage kya karna padega is bare main socha, darwaja khol kar bahar nikal kar rati ke room tak pahuchna jaruri tha, uske sharir par sirf shirt aur underwear thi, apni pant pehanne jitna bhi samay uske paas nahi tha..

uske samne sabhi badi samasya hanif sando ki thi uski najro se bach kar bahar nikalne par hi sabkuch depend karta tha par agar hanif ne beech main apni tang ada di to?? isi khayal se ajit ke pair tham gaye the, agar hanif ne apne ko dekh liya aur ek second main uska rupantar shaitaan main ho jayega ye baat ajit janta tha aur hanif to ajit ki dhulai karne ki raah hi dekh raha tha aur is baar ye mauka wo katai nahi chhodne wala tha, halanki wo ajit ko jyada der nahi rok pata lekin us muthbhed main jo samay lagne wala tha uske parinam kafi bhayankar ho sakte the aur hanif ko apni baat samjhane ka waqt bhi ajit ke paas nahi tha

surwaat main jaldbaji main liye gaye apne rengte huye decision se ajit bahar nahi nikla ye acha hi hua kyuki usse hanif ko ajit ko achanak dekhte hi ashcharya hota aur gusse main uske hath se kuch bhi ho sakta tha ye ajit samajh gaya tha, apne ko ekdum savdhanta se aur thande dimag se halchal karni padegi aisa ajit ne man bana liya. darwaje tak pahuchne tak usne ekdumdheere kisi ka bhi dhayan na jaye aise halchal karni thi. shatru ke kheme main ghuse huye sainik jaise ajit dheere se palang se bahar aaya, wo darwaje ki or badh hi raha tha ke achanak ek cheekh gunji, ajit ne wo awaj kis chiz ka hai ye dekhne main samay nahi gawaya lekin har cheez insaan ke soche mutabik nahi hoti hai, usne garden ghumayi, wo awaj hanif ne muh se nahi nikla tha, usne rengte huye sirf underwear main chite bacche jaise darwaje ke paas jate huye dekh shama chikhi thi, hanif ki uski taraf pith hone ki wajah se hanif ka dhayan ajit par nahi gaya tha lekin ab is baat ka koi matlab nahi tha. ajit jo taalne ki koshish kar raha tha wohi ho gaya tha, shama kyu cheekhi ye dekhne keliye hanif mudne wala tha aur kuch hi palo man uski najar ajit par padti, ajit kis paristithi mani hai ye shama nahi janti thi, wo cheekh rahi thi aur usi samay hanif piche muda aur usne ajit ko dekh liya..

"tu.........tu..............tu........." ajit ko dekhte hi hanif ka gussa satve asman par tha, wo itna jyada gusse main tha ke uske muh se shabd bhi nahi nikal rahe the wo bas kabaddi players ke jaisa tu.....tu....tu bol raha tha

par ab tak jaise sab shanti main nipta waisa aaj nahi nipatne wala tha, ajit ka sar ghumne laga par usne khud ko sambhala aur satark kiya kyuki hanif uski or a raha tha aur is waqt dusra koi bhi vishar karne ki uske paas fursat nahi thi, hanif bhi gusse se bhari laal aankhen usi par tiki huyi thi

ab shabdo se kaam nahi chalne wala tha

koi bhi takat hanif ko nahi rok sakti thi

is waqt hanif kaisa lag raha tha ye batana bhi mushkil hai. wo gusse main aag ki tarah tap raha tha, kisi ke sar par se agar truck nikal jaye to uski aankhen jaise bahar aa jayengi aise uski aankhen badi ho gayi thi, wo lagatar ajit kodekh raha tha aur uski garden ektaraf jhuki huyi thi aur uski najar ajit ke sare sharir par ghoom rahi thi, jaise kasai kisi bakre ko katne se pehle kitna mutton niklega iska andaja leta hai waise hi hanif ajit ko dekh raha tha, ek hi samay main alag alag bhavnao ke mishran se hanif kachehra ajieeb ho gaya tha, uske bade bade hatho ki halchal dekh kar apne shikar ko jaal main pakadte huye octopur ki ajit ko yaad aayi

saap jasise chuhe ko khane ke liye pakadke rakhta hai waise hi hanif ne ajit ko rok rakha tha, aur ajit ka khoon sukh raha tha, wo jara bhi hilnahi pa raha tha, hanif ko pith dikha kar wo darwaje tak nahi jasakta tha aur hanif par najar rakh kar ulta chalkar darwaje tak jane ke bare main wo soch bhi nahi sakta tha kyuki usne ekbhi pair hilaya aur hanif ka control chhut jayega aur bit ta hua har pal kafi mahatva ka tha

hanif kuch halchal na kate huye ajit ki or dekhte khada tha aur akhir main wo dheere se hila, uska chehra khunnsas se bhara hua tha najar barik ho gayi thi, usne istri ke table par najar dali, wo pant shama ke konte 'bhai' ki hai aur wo waha kaise pahuchi ye hanif ke samajh main aa chuka tha, usne fir khunnas bhari najro se ajit ko dekha

ajit bhi ab apni puri tayari ke sath khada tha, uski anubhavi najar hanif ke chehre aur aankhon ke bhav padhte huye uske aage kya karna hoga iska andaja le rahi thi

Kuch bhi karke hanif ka gussa thanda karna jaruri tha

"Hanif..."ajit ne kaha, "faltu main ulti seedhi bate dimag main mat lana!!" Ajit ne kaha

"A......a.........a....." Gusse main hanif ke muh se shabd nahi nikal rahe the par jis hisaab se wo shabd nikal rahe the wo waaf par chalne wale rail engine ki yaad dila rahe the. Hanif sando khud ek engine tha aur uske chalane ke liye waha paryapt garmi tayar ho chuki thi, kisi bhi pal hanif naam ka engine ajit par dhava bolne wala tha

"Tum samajh nahi rahe ho, maine kuch nahi kiya hai, tum soch rahe ho waisa kuch nahi hai"ajit ne fir samjhane ki koshish ki

Par hanif kaha manne wala tha, uske man main is samay kya chal raha hai ye ajit nahi samajh raha tha par jo bhi tha wo acha nahi tha aur ye batane ke liye use kisi Sherlock Holmes ki jarurat nahi thi

"Ajit......tu.." akhir main hanif ke muh se shabd bahar nikle aur agle hi pal usne ajit par dhava bol diya, dono hath faila kar ajit ki taraf aata hua hanif mahabharat ke kaurav sainiko par girte huye ghatotkach jaisa lag raha tha
Aaj apna is room se jinda jana mushkil hai aisa ajit ko lange laga.......
 
Newbie
73
19
8
Update 34

"Ajit......tu.." akhir main hanif ke muh se shabd bahar nikle aur agle hi pal usne ajit par dhava bol diya, dono hath faila kar ajit ki taraf aata hua hanif mahabharat ke kaurav sainiko par girte huye ghatotkach jaisa lag raha tha

Aaj apna is room se jinda jana mushkil hai aisa ajit ko lange laga.......

hanif ko apni taraf aata dekh ajit ki halchal suru ho gayi aur hanif uske paas pahuche uske pehle hi ajit ki drop kick hanif ke chati par pad gayi, hanif ki jagah dusro koi hota to uski pasliya toot gayi hoti aur khoon ki ulti karte huye wo behosh ho jata par hanif par uska jyada asar nahi hua, wo piche diwal se ja takraya bas par baad main hanif ne ajit ko jo lath mari thi uska parinam ajit ko acha khasa mehsoos hua, drop kick marne ke baad khud ko sambhalte huye uthte huye hanif ne mari huyi lath ajit ke sar par lagi thi jisse wo gulati maar ke gir gaya, apne ko hanif ne hath se fatka mara hoga aisa palbhar ajit ko laga. lath lagte hi ajit ka mastak, sunn, badhir ho gaya tha aur palbhar apan kaha hai ye bhi use dhayan main nahi aa raha tha halanki apan galat jagah par ye iski use puri jankari thi, apni sari shakti jama karke ajit apne pairo par khada hua

achanak ajit jhuk gaya, aakhri samay main ki huyi is harkar se jo bach paya tha, aain samay par usne apni or aata hanif ka punch dekha aur jhuk gaya, puri takat laga kar mara hua wo punch ajit ke balo ko sparsh karte huye nikal gaya par us punch main lagayi apni takat ki wajah se gende ki shakti wale hanif ka balance bigad gaya,

hanif apne aap ko sambhalne ki koshish kar raha tha ke ajit ne uske pet par waar kar diya. hanif ne ajit ko apni bhujao main dabane ki koshish ki uske pehle hi hanif ke gaal par ajit ka hath chipak gaya aur uske sath hi ajit ne uske kandhe par bhi aghat kar diya aur agle hi pal piche sarak kar hanif ko ek lath maar di. kuch hi seconds main kiye gaye in teen waro se ajit ko jo chahiye tha wo parinaam mil gaya tha, ajit ke in teen waro se sau main se ninnyanve log garad ho jate, in waro main ajit ne apni sari takat lutai thi aur main baat iske piche uski jaan bachane ki tadfad thi, hanif niche jaroor baith gaya tha par uspar unta parinaam nahi hua tha par wo ajit se kuch foot door sarak gaya tha aur fir se ajit ke paas aane ke liye use kuch seconds ka samay lagne wala tha

kuch seconds!!

ajit ko unhi ki jarurat thi, ajit darwaja khol kar bahar nikla, wo puri speed se bhag raha thaaur uske dimag mani fir se wahi bate ghoon rahi thi, rati aur uska khoon isse ajit ke bhagne ki gati aur bhi badhti jarahi thi, wo rati ke suite ki or bhag raha tha, rati aur shama ka suite hote ke main building main nahi tha balki door tha, shama north wing main thi aur rati south wing main.

bhagte bhagte ajit ko uske piche aane wale pairo ka awaj sunai diya aur sath bhi bhaddi ashleel galiya, khunnas bhari awaj main chillana ajit ko sunai de raha tha to uske bhagte bhagte garden piche ghumayi

Hanif!!

ajit ka dil dhak kar gaya, hanif uske piche hi tha, uska muh khula hua tha aur najre khunnas se bhari huyi thi, us haalat main bhi ajit ko hanif ko dekh kar hasi aa gayi, hanif ke ek hathmain ajit ki pant thi aur kisi vijayi veer ki tarah wo ajit ki pant hawa main lehra raha tha. ajit ki najar uske dusre hath par gayi touske chehre se hasi gayab ho gayi. hanif ke dusre hath main dandpatta tha. hanf ke char inch chaude belt main aisa hi kuch hathiyaar hoga iska ajit ne pehle hi tark kar liya tha aur wo sach sabit hua tha aur hanif ki najro se wo apne do tukde karne ke liye utsuk hai ye bhavna ajit tak pahuch gayi thi

ekdum bahut hi jyada baat aage badhi tabhi , sirf tabhi ajit hanif ko marne wala tha par hanif se abhi picha chudana jaruri tha, ajit ne apni gun nikalne ke liye apne kandhe ki or hath badhaya par us jagah shoulder holster nahi tha, ajit wo pehanna bhul gaya tha aur room se nikalte huye uske apni gun apne pant ke pocket main rahi thi aur wo pant is saqt....

uski pant hanif ke hath main thi

is khayal se ajit ke pairo ko aur jyada gati aa gayi, ab ajit ke kano main asankhya awaj ghoom rahe the, uske mastak main nagaro ka awaj ghumne laga achanak ajit ne awaj ki disha main garden ghumayi, inaugration ke liye jama huye sekdo log inaugration chhod kar unki or bhagte huye chilla rahe the

sirf underwear main bhagta hua ajit aur uske piche piche ek hath main pant aur dusre hath main dandpatta lekar jor jor se chillate huye bhagne wala hanif aisa gambhir par vichitra drishya dekh kar log inaugration chhod kar unke piche na bhagte ho hairani ki baat hoti

dhamm!!

achanak awaj aaya aur band ruk gaya !

logo ke itne kolahal main se bhi ajit ko hanif ke pairo ka awaj saaf sunai de raha tha, usne ekdum jaldi sab par se najar ghumayi, hanif uske ekdum kareeb pahuch gaya tha aur kisi bhi pal wo ajit ko pakad sakta tha ajit ne fir se apni bhagne ki speed badha di lekin wo jyada door nahi ja saka uske pehle hi hanif us tak pahuch gaya aur wo ajit ko pakadne hi wala tha ke ajit ne fir se speed badha di, uske kano main ab bhi asankhya awaj ghoom rahe the ur ab wo rati ke suite ke paas pahuch raha tha, bhagne main apni barabari koi nahi kar sakta is baat ka ajit ko ghamand tha par uski pith par ek jordar dhadak baithi aur uska ghamand choor ho gaya, hanif bhagne main ajit ka baap tha..

us gende ki dhadak se ajit jamin par gir gaya tha aur presence of mind rakh kar girte huye apne sar par chot na aaye iska usne dhayan rakha par hanif apni speed nahi sambhal paya aur bhagte huye thoda aage nikal gaya aur un kuch secondo ke samay main ajit khada ho gaya, khud ko sambhal kar hanif ek bar fir ajit par lapka is baar ajit ka jordar punch hanif ke gaal par pada, wo punch itna jardar tha ke ajit ka khud ka hath jhanjhana gaya, hanif jamin par gir gaya aur uske hath main ka dandpatta kuch door ja gira par ab bhi ajit ki pant uske hath se nahi chuti thi, hanif khada ho hi rahatha tab tak ajit ne dandpatta apne hath main le liya aur rati ke suite ki or daud laga di

Chauda.......bara......dus......

rati ko aath nunber ka suite diya gaya tha par ajit is baar darwaja khulne ki raah dekhne wala nahi tha usne kandhe se jabardast dhakka darwaje ko diya jisse wo toot gaya aur ajit roommain ander ghusa

ajit ka balance bigad kar wo girne wala tha aur girte girte uski pith ajit ko dikh rahi thi aur uski fauladi ungliya rati ke galer par kasi huyi thi......

ajit apne aapko utha hi raha tha tabhi wo khuni rati ko chhod kar ajit ki or muda, uske baal puri tarah bikhre huye the, rati ke sharir ki koi halchal nahi ho rahi thi, usne apni ungliya hatate hi rati kisi bejan lakde jaisi palang par gir gayi thi, ajit ke paas rati ko dekhne ka samay nahi tha..rati ko chhodte hi khuni kuch kadam piche hata aur uska hath apni jeb main gaya aur ab uske hath main revolver thi

ajit uski or bhaga, chah kar bhi ajit ruk nahi sakta tha, us suite main goli chalne ka awaj gunj utha, apna daya pair piche lete huye ajit ne puri takat se dandpatta us khuni ke pet main ghusa diya aur pet main ghusa hua wo dandpatta sidha uski pith se bahar nikalkar diwar main ghus gaya aur wo khuni diwar main kila toke jaise usse chipak gaya

ek pal main uski aankhen badi ho gayi agle hi pal uske hath se uska revolver niche gir gaya aur uski jordar chikh waha gunjne lagi, dandpatte par uske sharir ka wajan hone ki wajah se uska sharir pet se chati tak chira gaya tha aur pet se khoon beh raha tha
khuni koi aur nahi balki JAAL DARUWALA tha......
 
Newbie
73
19
8
Update 35 (A)

ek pal main uski aankhen badi ho gayi agle hi pal uske hath se uska revolver niche gir gaya aur uski jordar chikh waha gunjne lagi, dandpatte par uske sharir ka wajan hone ki wajah se uska sharir pet se chati tak chira gaya tha aur pet se khoon beh raha tha

khuni koi aur nahi balki JAAL DARUWALA tha......

Ajit rati ki or muda

Rati palang par nishchal awastha main padi huyi thi, uski saas chalu hai ya nahi ye bhi ajit nahi bata sakta tha ajit rati ki or dekh hi raha tha ke uske kano main piche ho raha awaj aaya aur wo ek jhatke main piche muda par use der ho gayi thi

Ajit ko apne sar ki taraf kisi jabardast cheez ke aane ka bhas hua aur agle hi pal wo chiz usme sar se takrayi aur ajit ko din main tare najar aa gaye aur aankhon ke samne andhera chane laga tabhi ek ke piche ek dusra prahar uske sar par hua aur uski najar saaf ho gayi. Najar saaf hote hi apan jamin par gire huye hai aur hanif apne samne hai ye uske dhayan main aa gaya. Ajit ka sar diwal se tika hua tha

"Bewkoof, tu....." Hanif niche jhuk raha tha tab ajit ne kaha aur dayi or palta aur waisa karte huye ajit ne apna daya pair hanif ke pairo main atka kar baye pair se ek sansanit lath hanif ke ghutne par mari jisse hanif jhuk gaya aur agle hi pal uska dhad awaj karte huye jamin par gira, khud ko sambhalkar uthte huye ajit ne hanif ko dhakka dene ki koshish ki usi samay hanif ke kandhe ki jabardast dhadak ajit ko baithi aur hanif ne uski kamar ko jakad liya

jamim par golgol ghumte huye ladte huye dono khule darwaje se bahar nikle, dono hi apne hatho pairo ka pura upayog kar rahe the akhir main ajit ne apne hath se hanif ka chehra door dhakalne ki koshish ki jisse hanif ki uspar se pakad dheeli pad gayi aur ajit jaldi se usse door jakar khada ho gaya

"abe paagal aadmi baat to samajh, maine abhi abhi tera dandpatta jaal ke pet main aarpaar kiya hai, wo aath number ke suite main hanger par tange shirt ke jaise dandpatte pe jhool raha hai, usne rati ka gala daba kar marne ki koshish ki hai..." ajit bol raha tha

hanif khud ko sambhalte huye khada hua aur ajit ki or aane laga, ab ajit ne nirnay le liya tha icha na hote huye bhi usko hanif ko jakhmi karna tha par ye taalne ke liye usne ek aakhri koshish karni chahi

"murkh aadmi, jaal ne hi tere boos ka irani ka khoon kiya hai, madhuri ka bhi khuni wohi hai, usike khhon se ye sab suru hua hai, wo yaha aayi usne jaal ko dekha aur......"

par hanif ajit ka ekbhi shabd sunne ko tayar nahi tha wo apna sar niche jhuka kar ajit ki aur daudne laga aur apne sar se ajit ko takker maar di, kuch samay baad wo dono ekdusre ki pakad se mukt huye par in kuch palo main ajit ne hanif ko kai fatke mare the to hanif ne bhi ajit ko do char fatke dhare the

dono bhi ab char paanch foot ki duri bana kar ekdusre ke samne khade the, ajit ki naak se khoon beg raha tha uska hoth bhi fat gaya tha, mastak sunn aur badhir ho gaya tha wahi hanif ke aankhon ke uper se khoon nikal raha tha, chehre hi durdasha ho gayi thi par garmi kam nahi huyi thi wo fir ajit ki or sarka

"bhagwan ke liye baat sun le bhai" ajit ne vinti karte huye kaha aur shama ke bare main kuch ulta mat sochiyo tum soch rahe ho waisa kuch nahi hai, maine use kkuch nahi kiya hai hanif, ye sab daruwala i wajah se hua hai, pehle uska naam russy mistry tha, uski aur madhuri ki shadi ho chuki thi baad main usne use dhoka de diya baad main yogayog se madhuri se use hotel royal palace main dekh liya tabn usne nera se shadi kar li thi aur...."

"ajit bole ja raha tha par uska koi bhi parinam hanif par nahi ho raha tha, hanif ajit ke paas aaya aur apan let se marne wale hai aisa bhas bana kar usne ajit ko rightse mara par ajit ne uska move pakad liya tha hanif ajit ko marte uske pehle hi ajit ka punch uske muh par pad gaya tha aur us punch se hanif ka balance bigda aur wo niche gir gaya, hanif ne dobara uthne ki koshish ki to ajit ne use kandhe se pakad kar niche baitha diya

"hanif please pehle meri baat sunlo..."ajit ne kaha, "meri pant....."

"to wo panttumhari hai ye kabool karte hi??" hanif ne vijayi swar main pucha

"uski kise parwa hai ab" ajit ne kaha, achanak ajit ko apne aaju baju kai rangbirangi pehrav dikhne lage kuch samay pehle hi wo ye dekh chuka tha par tab uska pura dhayan hanif par kendrit tha par ab use uske aaspaas jama gardi dikh rahi thi, wo boring program chhod kar sab unke aaju baju jama ho gaye the

hanif dheere se khada hua aur usne waha jama gardi par se najar ghumayi fir ajit do dekha baad main kuch soch kar sidhe aath number ke suite ki or badh gaya aur uske piche piche ajit bhi suite main aaya

Ajit sidha rati ke paas gaya, rati ke hatho ne halchal ki, dheere dheere chalti saanso se rati ki chati uper njiche ho rahi thi, wo jinda thi, ajit ne bhawan ka shukriya ada kiya

jaal daruwala ki awastha bhayanak thi, uska sharir jara bhi nahi hil raha tha wo beshosh tha uski saanse dheme hi sahi par chalu thi, uske pairoke paas kafi khoon jama ho gaya tha, dandpatte se daruwala ka pet se lekar chati tak ka bhag chira gaya tha jisse uski aatdiya bahar aa gayi thi, uski saanse bhalehi suru thi par jaal darruwala kuch hi minto ka mehmaan tha ye ajit ke dhayan main aa gaya balki wo ab tak mara kaisi nahi iska ajit ko ashcharya hua

Narendrakumar lamba auite main aa chuke the, uski najro ne waha ki har baat notice karne lagi mano dimag main photo chap rahi ho, lamba thake thake lag rahe the, unka chehra utra hua tha fir bhi wo khud par control banaye khad the

Lamba ke prashnarthak najro se ajit ko dekha...

ajit ne ungli se pehle rati ki taraf fir jaal ki or ishara kiya "wo mara nahi haijinda hai abhi" ajit ne kaha, "yaha koi doctor hai kya" ajit ne chillakar waja maujood bhid se pucha, "lamba aap jald se jald police ko khabad kijiye!!"

darwaje ke paas jakar lamba ne jaldi jaldi instructions diye aur wapis suite main aaye, wo tuta hua darwaja unhone fir band kiya aur khurci par baithte huye ajit ko dekha

"aapko aur bhi kuch bolna hai, batana hai??" lamba ne pucha

"aur bhi kuch??"

"tab aapne hanif ko bataya usse jyada kuch?"

"oh...ha aapne suna tha"

"sirf maine nahi balki jis awaj main aap bol rahe the usme sari duniya ke wo baat suni thi, aap samanya awaj nahi baat nahi kar rahe the bakli chilla rahe the" lamba ne kaha

"oh...ha yaad aaya, par meri baat puri nahi huyi thi, yaha aane ke baad madhuri ne apne pati ko pehchan liya tha, unka divorce nahi hua tha balki jaal use dhoka dekar bhag aaya tha, usne use nera se bolte huye suna aur nera ke bare main aapse puchtach ki to aapne hi use bataya tha ki wo jaal ki patni haijispar aapko madhuri ka shoking reaction yaad hoga, uska react hona swabhavik tha kyuki wo khud jaal ki wife thi" ajit ne kaha

ajit ki baat sun kar lamba ne samarthan main garden hilayi

"aur uske baad uska dhayan nera aur irani par kendrit ho gayaaur usne minochar ki hosake utni info jama karni suru kar di" lamba ne kaha

"correct !! jab irani maaldar party hai ye use malum pada tab usne unse paise kaise nikale jaye iske bare main sochna chalu kar diya, uski baat sach thi aisa hum maan kar chale to jaal aur nera ki shadi gairkanuni thi usme nera pregnent thi wo jaal ke bacche ki maa banne wali thi aur apna bank balace badhane ke liye aisa suvarn avsar madhuri ko dobara milne wala nahi tha aab sare hukumm ke patte madhuri ke hatth main the...." ajit ne kaha

"tark ki drishti se aapki bate manne layak hai par ise practically prove karne ke liye aapke paas paryapt saboot hai kya??" lamba ne kaha

""ha aur sabse bada saboot to mainne diwal par tang diya hai" jaal ki or ishara karte huye ajit bola, "aur bhi bahut sare saboot mil jayenge jaise madhuri aur jaal ka marriage certificate wagaire aur khoon ke jaal kaha tha iska pata chal jaye to aur bhi saboot hath aa sakte hai. main jab hotel main aaya tha tab jaal yaha nahi tha aur antahpur main bhi wo thode samay baad aaya tha. rati bhi hosh main aane ke baad uske jo batana hai batayegi hi par lamba ab sach bolne ki bari aapki hai..." ajit ne kaha

"kya matlab ki ab meri bari hai?" lamba ne kaha

"wo to aapko bhi pata hai, agar madhuri ne irani ko mil kar apni kahani batayi aisa maan kar chale to is paristithi main unhone kya kiya hoga?? wahi ko har kisi ne is paristithi main kiya hota, iranine jald se jald apni beti ke pati ko yani jaal ko bulaya"

"ha too.."

"aapne agar minochar ka khoon nahi kiya hai tokhuni ekhi vyakti tha, Jaal daruwala aur ye baat sab saaf hai, madhuri ka unko marna mushkil hai kyuki mere hisab se madhuri jis chiz ke piche bahg rahi thi wo use mil gaya tha, madhuri apna muh band rakhe isiliye irani ko kafi paise mojne pade uske bad police ko kisi aadmi ne estate par goli chalne ka phone kiya, ab hum pure matter ko jaal ke drishtikon se dekhte hai ki ghatnaye kaisi huyi hogi, irani ne unhe kya kaam hai ye jaal ko bataya, matlab iska parinam jaal ko bhugatna padta nera se divorce lena hi padta aur sath hi wo irani ke croro ki sampatti se hath dho baithta, shayad royal palace ke general manager ke post se bhi use nikala ja sakta tha aur court aur jailki baat hi chhodo, ya to insab ko face karo ya irani ko ki khatam kar do ye do hi option jaal ke samne the, Lamba aap ambetpada ke irani ki estate par kya kar rahe the?? aapko khoon ke bare main pata nahi tha ye baat main manne ko tayar nahi hu aur aap mujhe ye baat sabit bhi nahi kar paoge, jaal ne aapko phone kiya tha??" ajit ne apni baat puri ki
"nahi" lamba ne kaha, "khud Minochar ne !"
 

Top