Fantasy Immortals

Member
104
46
30
UPDATE - 1

Shuru karte hai ek sawal se....

"Jo kabhi paida hi naa hua kya wo kabhi marega...jis raste pe aapne kadam hi nahi rakha kya aap aap uss raste se hoke jaane wale mukaam tak kabhi pahuch paoge...jo Imarat kabhi bani hi nahi kya wo todi jaa sakti hai....".

Sayad jyada ho gaya.....chaliye isko chod hum kahani pe chalte...waise ye sawal aate rahenge kahani mein issi liye likha hai....

Ek school hai...Earth ka nahi kahi aur kaa.....kaha ka wo aage dekhte hai....

Haa to school hai to class bhi hogi....ab yaha ki tarah to hai nahi ki binna class ke hi school binna collage ke hi degree..

To class chal rahi thi...Teacher shahiba padha rahi thi aur bacche padh rahe the...

Teacher- Kittu chalo batao pramukh planets kon kon se hai....

Kittu ek student hai jo kabhi padhayi mein dhyaan nahi deta usse sawal iss liye pucha Teacher ne kyun ki ye janab baithe hue the last bench pe aur khana thoosh rahe the...

Ab Madam ne pucha to khada hona hoga jawab dena hoga warna sazza ke liye taiyaar raho...

Kittu khada hota hai aur agal bagal apne doston ko dekhne lagta hai...par dost bhi iske harami the...koi 3 kah raha hai koi 6 to koi 1 bol raha hai...Kittu pareshan ho jata hai waqt to tha nahi ki sochte rahe kyunki Madam ji ko gussa to aa gaya tha pahle hi...to aankhen band kar ek andaza lagata hai wo....

Kittu- 7
Sayad aaj Kittu ka naseeb accha tha...usne andaze se hi par sahi jawab de diya tha...aur uska jawab sun sabhi usko dekhe jaa rahe the...Madam bhi usko dekhe ja rahi thi...

Madam- Haa sahi jawab....chalo ab batao ki kon kon se...

Ab kittu fasa wo bechara jiska pahle sawal ka jawab hi tukke se sahi hua hai ab usko ussi sawal ke baare mein batana hai....

Kittu- Madam naam to pata nahi hai....

Madam- Pata kaise hoga aap to khana khane aate ho yaha...padhayi karoge nahi to kaise pata hoga ye sab...chalo iss baar maaf kiya kyunki pahle sawal ka jawab sahi tha..tukke se hi sahi..

Kittu baith gaya...

Madam:- Chalo kon batayega 7 pramukh planets ke naam...

Ek student khada hota hai...

Student- Madam
"Sabse pahle aata hai sabse strong planet "Titan planet".....yaha pe Devta rahte hai...
dusra aata hai "Orion Planet".....ye jadugaron ka planet hai...
tisra aata hai "strange world".....yaha tarah tarah ke jeev hote hai.....hum bhi yahi ke rahne wale hai...
chautha aata hai "Earth"....yaha ajeeb se dikhne wale log rahte hai...ye pramukh ptanets mein hona chahiye yaa nahi ispe vivad hai abhi bhi...
panchma aata hai "Dark world"....yaha pe saare bure creaatures rahte hai...
Chhatha aata hai "Fomos world"....ye hai ek jail jaha pe upar ke sabhi planets ke siway Earth ke behad khatarnak mujrimon ko bheja jaata tha sazza katne ke liye...par unsabne yaha pe kabja kar liya aur iss jagah ko chor dakku insabka ilaka bana diya hai...
shatva aata hai "Demos world"....yaha pe shaitan rahte hai...
Waise aur bhi hai planets par unko iss shuchi mein naa rakhne ki wajah hai waha ki population aur kuch aur khass wajah..."

Madam ji to puri khush usne uss student ko sabasi di aur baithne ko kaha...

Madamji - Haa to aaj ka class hai Earth ke baare mein....Haa pata hai ye boring jagah hai...par ye pahle aisa nahi tha...yaha pe jo mukhya prajati hai wo hai insan ki...par iss Mukhya prajati ke alawa bhi aur prajatiyan hai yaha jo chup kar rahti hai iss jagah pe aur unhi ke karan iss Planet ko Mukhya planets mein ginna jaata hai...Ab unme aate hai Elfs, Fairies, Vampire...aur bhi naa jaane kitne jeev....

Abhi baat puri nahi hui ki ek student haath utha ke sawal puchne ka ishara karne laga...Madam ji ne usse puchne ko kaha...

Student- Madam ye sab jo prajatiyan hai wo to waha ki nahi lagti...fairy acche powers ki hoti hai Vampire bure powers ke fir dono ek planet pe kaise...

Madam- Haa ye ek accha sawal hai....chalo ab batati hu...baat ye hai ki jab Fomos planet se sazza kaatne ke baad cratures ko wapas apne planet pe jaane ka mauka milta tha to unhe pahle kuch waqt iss planet pe rahna hota tha....ab ye niyam kyun tha iska pata nahi hai....Haa to issi niyam ke karan log Pritvi pe jaaate...par waha se bahut hi kam log wapas apne planets pe pahuch paate the...baaki ke wahi rah jaate...waha ke logo ke bitch...Ab ye sab chalta raha aur unke baccho ka bhi janm hone laga Earth pe jisse unn sab ki bhi prajati badhne lagi...par ab unke baccho ko wapas unke planet pe nahi laya jaa sakta tha...jab aisa hua to unn creatures ne waha bhi apni apni community bana li....aur wahi pe rahne lage...

Ab bahut ho gayi padhayi chalo yaha ke logo ke baare mein bhi jaan le aur kuch mukhya kirdaro ke baare mein...

Haa to ye jo madamji hai ye Billi ki tarah dikhti hai sirf ye hi nahi yaha iss school ke bahut se log billi ki tarah hi dikhte hai...puch bhi hai inn sabki...

Madamji ka naam hai IP ab ye kyun hai wo ye jaane...

Inka iss kahani mein role aata rahega...ab iss school ke baare mein jaan le...to ye school Strange world mein hai aur sabhi 7 worlds mein sabse acche school mein aata hai ye school yaha pe har world ke bacche aate hai padhne ke liye apni powers jaane ke liye...Har world se matlab ye hai ki naa sirf inn 7 worlds balki aur bhi alag alag worlds se bhi....

Iss School ke sansthapak ke baare mein kisi ko kuch pata nahi hai....par unki shaktiyon se sab parichit hai...chaliye aapko bhi parichay dilwate hai ek ghatna se...

Kuch saal pahle ki baat hai...Demos world ka Rajkumar yaha padhne aaya tha...Demos world ka rajkumar bole to Demons ke Raja Lucifer ka beta....uska kisi karan se jhagda ho gaya kisi se...ab ye to thahre gusse wale rajkumar...to inhone apni buri kaali shaktiyon ka prayog karna chaha....Par ussi waqt ye janab Strange world se teleport hoke apne planet pe pahuch gaye...matlab ye ki iss school ke sansthapak ne yaha aise jaadu kiye hai jisse students apni shaktiyon ka use bas uss class mein hi kar sake bahar nahi...aise hi bahut saare jaadu wo karke gaye hai...Ab unka koi pata nahi hai koi nahi jaanta wo kaha hai...

Iss ghatna ko batane ka ek karan ye bhi tha ki issi ghatna ke baad se Demos world Strange world pe hamla karne ki koshish mein rahti hai...par strange world ko bhi Orion aur Titan world ki shuraksha milli hui hai to wo nakaam hi rahte hai....

Lucifer - Demos world ke king, Demon lord
IP- teacher, Strange world (kuch aur bhi baatein hai inke baare mein jo bahut khass hai wo aage pata chalegi)

Abhi ke liye bas inn dono ka hi introduction rakhte hai...aur chalte hai hum Earth pe...Jaha pe aaj ek meeting chal rahi thi saare magical creatures ke head ki...

Baat ye thi ki wo bhi apne baccho ko Strange world mein padhana chahte the par...Strange world ke log ye maan nahi rahe the...

Elf Community ka head- Baat sidhi hai humme bhi apne baacho ko Strange world mein padhane ka mauka milna chahiye....Maine Elf King ko sandesha bhijwaya hai aur wo humare support mein hai...

Vampire community ka head- Sandesh humne bhi bhijwaya hai par koi jawab nahi aaya waha se...ab to bas aap logo pe hi ummid hai...

Warewolf community ka head- Humare maharaj bhi support mein hai...unka kahna hai ki wo iss mudde ko Strange world mein jarur uthayenge...

Fairy community ki head- Fairy queen ne bhi humme kaha hai ki wo baat karegi...

Abhi meeting chal hi rahi thi ki acchanak se roshni hui waha pe...kisi ko kuch dikh nahi raha tha..sabki aankhen band thi...roshni to kaam nahi hui par ek awaj aayi usse jisko sun sab khush ho gaye...(Vampire chup gaya tha wo roshni mein nahi aate)

Awaj- Main Strange world se aaya hu aap sabko ye batane ki ekbaar firse Earth se log Strange world mein padhayi karne jaa sakenge...

Itna bol wo aawaj wo roshni sab chali gayi...aur yaha pe sabki khusi ka koi thikana hi nahi raha...

Ye baat har jagah phail gayi ki Earth se bhi ab Strange world padhne jaa sakte hai...

2 din ke ander hi sab bacche ready ho gaye apni apni tests ke liye jo unhe dena tha Strange world mein jaane ko...test tha magic ka weapons chalane ka aur bhi kuch chizon ka...

Jab results aaye to Strange world ke log hairaan the...Earth ke saare bacche pass the..wo bhi acche numbers se...Ab jab aisa hua to school administration ne ek aisa faisla liya jiska kisi ko yakkin hi nahi hua...

Faishla ye tha ki Earth pe bhi iss school ka ek branch khola jaayega...Branch kulla aur padhayi shuru ho gayi....Par kisi ne ye nahi socha tha ki Earth k branch ek din Strange world ke branch se bhi aage nikal jaayega...jab aisa hua to IP madam ko Earth ke branch ka principal bana diya gaya...

Arre ye sab bahut pahle ki baatein ho rahi hai...base banana bhi to jaruri hai naa...aur thodi faltu ki bak bak aadat hai meri..

Ab hum aate hai Earth pe aur kahani humari yahi pe ghumegi jab jarurat ho tab bahar bhi ghum aaya karenge...

Year - 1976
Planet - Earth
Place- Imperial College, London

Ajeeb si ghatna hui thi yaha pe...jo iss college ke security, management sabko pareshan kar rahi thi unse puch rahi thi ye kaise hua...Yaha se acchanak se Students gayab hone lage...ek do nahi purre 23 students gayab...kisi ne unko bahar jaate hue nahi dekha tha...wo ander hi the collage ke hostel mein aur bas gayab ho gaye..Aaj tak unka pata nahi chala hai kaha gaye wo..

Year - 1989
Planet- Earth
Place- University of Calcutta

Yaha pe bhi aisi hi ghatna hui bacche gayab ho gaye iss university se...aur kisi ko bhi unka pata nahi chala...parents ne puri koshish ki par kuch pata nahi chala...

Ye to bas 2 jagahon ke naam hai Earth pe bahut se aise jagah the jaha se aise hi log jawan log jinki umar karib 19 - 20 saal hai wo gayab ho rahe the..aur unka kuch bhi pata nahi lag raha tha...

Kiska haath tha inn sab ke picche koi nahi jaanta tha...

Chaliye hum ek jagah chalte hai jaha sayad pata chal jaaye kuch...ye ek jungle hai bahut hi ghanna jungle...jiske centre mein ek guffa hai...Guffa ke ander se bas chillane ki aur hasne ki aawajein aa rahi hai...wo bhi bhayanak aawajein...

Jaise jaise guffa ke karib jaate hai waha kankal pade milte hai insano ke kankal jaanwaron ke kankal...thoda aur pass jaaane pe badbu aani shuru ho jaati hai aise bhayanka badbu ki puccho mat...aisa lagta hai 1000 chuhe mare pade ho yaha...

Guffa ke dwar pe ek murti jaisa kuch bana hua hai...dikhne mein to kisi inshan ki tarah hi lag raha hai...par usse lamba hai...ye Orion planet ke jaadugaron ki tarah dikh raha hai...Thoda aur aage jaane pe ek parchayi dikhayi di....jo kuch khaa rahi thi...aahhh aahhahaaa ye to ye to insan kha rahi hai ye ye to daayan hai....wo insan ko khati hai aur uske bacche hue kuch angon ko Body parts ko alag rakhti hai...jab uska khana ho jaata hai to wo apni jagah se uthti hai aur unn body parts ko Guffa ke dusri oor le jaati hai...yaha kuch bana hua tha...jispe makhhiyan bhinbhina rahi thi...ye to pura ka pura maans se bana hua hai...

Daayan uske upar wo bacche hue chizen lagati hai...aur pagalon ki tarah hasne lagti hai...

Daayan- Mera sapna mera sapna pura karega tu karega pura tu hihiihihihhii....bas aankhen hi baaki hai ab .....wo bhi laga dungi fir tujhe jinda karungi...hihihihiii...tu raja banega iss pure planet ka sabko apna gulam banayega tu tu bhi amar hoga...Amar hoga tu bhi...fir fir hoga badle ka khel shuru...pahle Earth fir Strange world fir baaki ke planets sabko sabko tera gulam banna hoga sabko...hihhihiiihii..

Wo daayan hasti, naachti hui aise hi baatein karti rahi...

Ab yaha rahna sahi nahi hai kya pata mujhe hi pakad le ye....

Ye jo kuch bhi yaha ho raha tha uska pata abhi tak kisi aur world ko nahi tha...Earth pe bhi jo magic school tha usko bhi bas itna hi pata tha insan gayab ho rahe hai....par ye to aam baat hai...yaha to insan maar kaat karte hi rahte hai..

Karib 2 din baad matlab Aaj to 15 July 2018 hai to ye ghatna 27 july ki thi...

Jab Delhi se ek ladka gayab hua...uske picche bhi issi Daayan ka haath tha....Daayan ne usko pakda aur wapas le gayi ussi guffa mein Guffa mein jaane ke baad pahle to Daayan ne uski aankhen nikali aur fir baaki ka kaam kiya uske body ke saath....

Aaj naa jaane kitne saalo ki mehnat puri honi thi iss daayan ki...usne uss maans se banne jo bhi tha wo uspe aankhen bhi laga di...aur fir wahi bhayank hassi...

Hasne ke baad usne guffa se bahar aake aasman ki oor dekha...grahan lagne hi wala hai to usne uss pathar ke murat ko ek baar dekha aur uske dekhte hi wo murat hillne lagi...Wo pather ji utha...usme se ek lamba chauda aadmi nikla....ji haa ye Orion planet ka jaadugar hi hai....

Jaadugar- Ye tum sahi nahi kar rahi ho Sofia...bahut hi khatarnak hai ye...

Sofia iss Daayan ka naam hai...

Sofia- Sahi galat kuch nahi hota Viraj....bas takat hi sahi hoti hai jo ye mujhe dega...

Viraj jaadugar kaa naam hai..

Viraj- Sofia baat maano meri....aahhhh..

Viraj kuch aur bolta usse pahle hi Sofia ne uska haath kaat diya jisse nikalte hue khoon ko wo ek katote mein jamma kar rahi thi...

Viraj- Sofia bahut galat hai ye tum bhi jaanti ho isse wo Amar ho jaayega..usko koi bhi maar nahi poaayega...Wo tumhe bhi nukshan pahucha sakta hai...

Par Sofia ko insab baaton mein koi dilchaspi hi nahi thi wo to bas lagi hui thi khoon ko ikkatha karne mein...jab uske jarurat jitna khoon aa gaya uske pass to usne Viraj ko wapas se pather banana chaha par iss baar Viraj ne ye nahi hone diya apne magic se wo waha se bach nikla...uske jaane pe Sofia ko jyada fark nahi pada jiski usko jarurat thi wo usko mil chuka tha...

Sofia ne Viraj ke khoon se pahle ek ghera banaya...uske bich mein uss maans se banne hue gudde ko rakha...fir khud ka haath kaat kar Viraj ke khoon ke upar dalne lagi...ussi ghere pe...Jaise hi ye ghera pura hua aur Chandragrahan laga...Kaali Safeed roshniyan Charo taraf se uss ghere mein aane lagi...aur wo shedha jaa rahi thi uss maansh ke banne hue gudde mein...Sofia ye sab dekh bahut khush ho rahi thi wo to bas naache hi jaa rahi thi....usko to uska sapna pura hote dikh raha tha....Chandragarahan khatam hua roshniyan bhi aani khatam ho gayi....

Wo Maans ka tukda ab ek jitta jaagta insan ban gaya tha...Insan haa insan Pritvi ke logo jaisa insan...Dekhne se hi jisko koi bhi dar jaaye...Par uska roop turant hi badal gaya aur wo normal logo ki tarah dikhne laga...

Aas paas usne dekha to bas wo Daayan yaani Sofia hi nazar aayi jo pagalon ki tarah naach rahi thi has rahi thi.....

"kon ho tum"

Sofia- Main main hu teri Maa tu tu mere har ek saone ko pura karega...tu tu mujhe ye puri duniya jeet ke dega...

"Maa "

Sofia- Haa Maa...Abhi to teri padhayi karwani hai par jab tu uss kabil hoga main apni vidya bhi dungi tujhe aur aur tu fir mere sapne pure karega...tera naam tera naam hoga...Slayer...

Slayer- Jaisa tum kaho Maa...

Haa to ye hai humara Villain....Slayer

Slayer ke ander Viraj ka khoon tha sath mein Sofia ka bhi matlab black aur white dono powers....upar se iska janm to hua nahi tha balki isko banayya tha Sofia ne to ye marne wala bhi nahi hai...par abhi dikkat ye thi ki iske ander wo shaitani nahi thi jo honi chahiye thi...ye shaitani to ab aate aate hi aayegi..

Aaj ke liye yahi tak...agle din dekhte hai ke Slayer kaise Magic school pahuchta hai...

Abhi kahani Villain ki hi chalegi...Ye villan jab bana hai tab se uski umar 18+ hi hai
मस्त अपडेट भाई
 
Member
104
46
30
UPDATE - 3

Ab tak

Slayer ka admission ho gaya tha....Sofia usko waha pe chod kar chali gayi thi...

Ab aage

Pahle shuru karte hai Magic School ke structure ke baare mein...

Ye school bilkul Strange world ke school jaisa hi tha....

Jungle ke bich mein ek bada khali sa maidan....jaha har waqt kohra hi kohra rahta hai....Agar insan chahe bhi to apne sattelite se naa dekh paaye uss jagah ko...aur jungle ke bich mein hai to aaj tak koi aaya hi nahi...agar aa bhi jaaye to yaha ke jaadu ki wajah se kuch naa dikhega jabtak wo uss sima ko paar naa kar le...

uske baad bhi agar koi aaye to bhi kuch naa dikhega unko kohre ki wajah se...ye kohra issliye tha kyunki School ke charon taraf Nadi thi....isko nadi bole yaa kya pata nahi jo bhi tha usse School charon taraf se ghira hua tha...Haa ek aur chiz thi iss jagah se thodi hi duri pe aur wo tha iss Magic school ka khud ka stadium jaha saare programs hote the...par wo bhi insano ko kabhi nahi dikhega...

Ye tha bahar ka....Ab ander ka dekhte hai to nadi se shool ke pass tak jaane ke liye aapko boats ka use karna hota hai...boats se hote hue jab aap school ke pass utarte ho to.. shuru mein aata hai Entry gate, bahut bada gate tha ye....aur khass bhi...gate mein bahut se murtiyan banne hui the...inn murtiyon ki bhi khasiyat hai...ye pather ki murtiyan shuraksha ke liye hai iss school ke....ye baat alag hai aaj tak jarurat nahi padi hai isko istemal karne ki...

Gate se ander jaate hi aapke saamne 4 badi badi buildings nahi nahi castles kahna sahi hoga haa castles milti hai...wo bhi char....charon hi ek dusre se bilkul hi alag...

Naam bhi dekh lete hai...

Castle A - ye hai administration block....ab aage kuch batane ki jarurat hi nahi hai...ji haa yahi pe hote hai saare administrative work...yaha pe sabhi staff members ke liye alag alag cabins banne hue hai...aur bhi jo unke liye jaruri hota hai...

Castle H - ye hai hostle matlab students ke rahne ke liye castle...sabhi bacche yahi rahte hai...unka khana pinna sab yahi hota hai...

Castle M - iss castle mein sabhi tarah ke magics ki siksha di jaati hai...

Castle W- Yaha pe warfare ki...

Ab kuch aur baatein jo jaani jaruri hai...

Castle H mein students ke wo 3 groups alag alag blocks mein rahte hai...jinka naam unke groups pe hi hai...

Groups iss tarah se hai...

Pure

Half

Minors...(Ye group bas Earth pe hi hai naaki Strange world mein)

ye bilkul kisi caste system ki tarah hi tha...iska virodh bahut waqt se ho raha tha...khud IP madam aur bahut se teachers iske against the...par faisla Strange world ke principal ko lena tha jo ki iss baare mein kuch bhi nahi bata rahe the...ab iske picche kya karan tha ye to wahi jaane..

Hmm to hum ye dekhte hai kis aadhar pe baata jaata hai yaha pe baccho ko...

Agar aap mein bas ek hi tarah ki energy ho chahe wo kaisa bhi ho wo Pure group mein aata hai...

Wahi agar aapke ander 2 tarah ki energies hui to aapko Half mein bheja jaata hai...matlab aap milawat wale ho yaani hybrid...

Minors ka concept sirf Earth pe hi hai...Minors unko kaha jaata hai jine Mata Pita dono mein se koi ek insan ho...

Haa aisa bhi hota hai yaha kuch magical creatures insano ke sampark mein bhi the...wahi pyar vyaar etc...inn jaiso ko School mein aane ki ijjajat abhi kuch saal pahle hi milli hai wo bhi naa jaane kitni mushkil se..

Ye ho gaya School ka structure...aur uske baare mein...

Ab hum dekhte hai Slayer ko ki wo kya kar raha hai....

Slayer kyunki Hybrid tha uske pass 2 tarah ki energies thi to usko Half group mein rakha gaya tha...

Kal se classes shuru honi thio uski...

Sofia ne jaate jaate usko kah diya tha ki wo jab tak Slayer aaa nahi jata tab tak ke liye yaha se Dark world aur Demos planet pe jaa rahi hai...waha se uske liye powers aur kuch khass chizo ka intezam karne...

Haa yaha bhi wo binaa passport wala tarika hai ek planet se dusre planet pe jaane ka ussi tarike se wo bhi jaane wali thi...

Room mein 2 bed the matlab ek uska room mate bhi hoga...wo bhi ek hybrid hi hona chahiye tha...

Slayer apna saman jo kuch bhi usko school se milla tha aur ek do chizen jo usko Sofia ne di thi wo sab sajane laga...issi mein uska waqt beet gaya....

Raat ka samay hua usko khane ke liye bulaya gaya...

Khane khane ke liye ek bada saa haal tha jaha sabhi baccho ko ek saath khana diya jaata tha...yaha ka ye niyam tha ki sab apne apne group ko alloted table pe hi baithenge....

Slayer ka gaya apne group ke baachon ke pass aur kisi Pure group wale ne apna pair fassa ke usko girra diya....

Slayer ko gussa aaya wo chahta to abhi uss pure group wale ka bura haal karta par....uske aisa kuch karne se pahle hi ek ladka aaya aur usko waha se utha ke le gaya...

Ladka- Ye ab aise hi hai jab dekho humare aur minors ke saath aisa karte rahte hai...tumhe chot to nahi lagi...

Slayer ne pahle to uski oor dekha wo bhi ek warewolf tha...

Slayer- Nahi main thik hu...

Ladka- Waise pahlke dekha nahi tumhe kahi...naye ho kya tum....

Slayer- Haa....mera naam Slayer hai...

Ladka- Aur mera naam Parth hai...chalo waha chalte waha table khali hai...

Slayer jisko yaha koi nahi jaanta tha usko koi mil gaya tha...jiske jariye wo yaha ke baare mein sab jaan sakta tha...

Dono baith ke khana khane lage...itne mein ek Pure group wale ne apna jutha khana Slayer ki oor fenka...ye yaha aam baat thi...aur innhi sab ko lekar IP madam aur baaki sab virodh karte the ki iss group wale system ko hataya jaaye par....khair chodiye...

Jis Pure group wale ne ye kiya tha...kuch der baad uske upar sirf aur sirf khana hi girra hua tha...

Slayer ki chizon ko move karane ki powers se to aap sab parichit hi hai...ji ussi ki madad se usne ye kiya...

JAise hi uss Pure blood wale ne apna jootha khana Slayer ki oor phenka...Slayer ne uss chiz ko mehsoos kar liya...apni aankhen band ki usne aur anguliyon ke ishare se sabse pahle wo khana wapas se ussi lake ke muh pe de maara...tab bhi uska maan nahi bhara...usne Half group ke sabhi baccho ke thali se thoda thoda khana uthaya aur uss ladke ke upar giraaa diya...par bande ko kkhusi mille tab naa same kaam usne minors ke khane ke saath bhi kiya aur iss baar naa sirf uss Pure blood wale bande pe balki uspe bhi jisne apna pair fansa ke usko giraya tha...par bande ko khusi nahi milli puri tarrah se...

Uski nazar kachre ke dabbe pe gayi...par abhi powers kam hone ki wajah se wo usko utha nahi paya...

Ye sab jab hua to mahool hi badal gaya uss jagah ka...abhi kuch ho usse pahle hi staff ke log aa gaye waha aur sabko shanti se khana khane ko kaha....aur unn dono Pure blood walo ko waha se baharbhej diya khud ko saaf karne ko...Dono hi Minors group aur Half group ke baccho ko ghurte hue bahar nikal gaya...

Slayer sab bhul ke aaram se khana khane laga....

Khana khatam karke sab apne apnme room mein chale gaye...

Jab Slayer room mein jaa raha tha tabhi usko pata chala ki Parth hi uska roommate hai...isse Slayer ko jayda fark nahi pada...par Parth wo bada khush hua naya dost bana ke....

Par usko kya pata tha ki ye dosti usko kaha tak leke jaayega...

Raat hui dono soo gaye....

Aaj ke liye itna hi ab agle update mein dekhte hai wo class ka chakar aur ek intrsting part bhi hai...
मजा आ गया
आज तो विलैन ने भी हिरों का काम किया हैं
 
Member
104
46
30
UPDATE - 4



Ab tak



Dinning haal ke kaand ke baad abhi log apne apne rooms mein chale gaye jaha pe....Slayer aur Parth dono ko pata chjalta hai ki dono hi roommates hai ye jaan Slayter ko kuch fark nahi padta par Parth bada khush ho jaata haiu...



Raat hui thi dono so jaate hai....



Ab aage



Subah ka waqt sab jaldi se uthte hai taiyaar hote hai aur dinning hall mnein wapas ikkatha hote hai waha pe breakfast ke liye....par isme Slayer aur Parth dono late ho jaate hai to jaisa ki yaha ka niyam hai unko khana unke room mein mill jaata hai par ek warning ke saath jo ki pahli aur aakhri warning thi....



Warning ek chitthi mein aayi thi...Parth jo ki jaanta tha ab kya hoga kyunki wo apne basics ke liye yahi padha tha issi school mein to wo yaha ke rules se acchi tarah parichit hai par...Slayer nahi...



To Slayer ko bhi sabhi chijo se parichit karne ka jimma apne sar lete hue...usne Slayer se bola letter kholne ko...Slayer ek ek look di phir wo badh gaya uss letter ki oor...jaise hi usne letter khola ek kaagaz bahar khuud aaya aur ek chahre ki tareah ban gaya...



"aap dono aaj ke breakfast ke liye late ha....iss school ke niyam ke anushar aapko aaj khana diya jaa raha hai kyunki pahli baar tha ye par uske saath warning bhi mil rahi hai....ab agar aage bhi aisa hua to khane ke jagah bas warning hi di jayegi..."



Itna bol wo kagaz khud se chuithde chithde ho gaya wahi Slayer usko dekhta rahga ye pahli baar jo tha....





Parth ne tabhi uske kande pe haath rakha aur bola ab aise hi dekhte rahe to aise bahut se letters aayenge humare pass...ab jaldi se chalo khana khao aur nayi class mein chalo....main naya jaadu seekhne ko bahut hi jyada utsahit hu...



Slayer chup chap jake khana khane laga..



Parth - yaar tum bolte nahi kya kal se sayad hi tum ek baar bhi kuch bole ho....arre bola karo bolna bahut accha hota hai isse hum apne ander ki bhawnao ko bahar nikal sakte hai...



Aise hi bakar bakar karte hue wo khata raha par Slayer usko kuch matlab hi nahi tha inn sabse....



Dono ne khana khaya aur fir dono chal diye Castle M ki oor jaha magic class thi aaj dono ki....



Par raste mein hi unhe kuch logo ne apni oor bulaya...POarth unko dekh dar gaya tha....par Slayer binna kisis bhaw ke aage badhta raha....jo unn logo ko pasand nahi aaya....unme se ek banda dono ke saamne aaya...



Ladka- Sunayi nahi deta kya Half blood humne buloya matlab aane ka...



Ye ek group tha seniors ka jisme bas Pure blood wale yhi the....



Slayer fir bhi kuch nahi bola bas usko dekhta raha wahi Parth usse bola hi nahi gaya kuch...



Usne dono ko apne picche aane ko kaha dono jaane lage...sorry Parth jaane laga Slayer hilla bhi nahi tha par Parth ne usko pakda tab wo bhi jaane laga uske saath....Wo ladka unko apne group ke pass le gaya jaha pe karib 7 log the wo...Saato ke saath unn donmo ke charo oor aise khade ho gaye jisse aas pass kisis ko pata bhi naa chale ki waha pe koi aur bhi hai..aur unn dono ko apne saath chalne ko kaha....



Slayer ka haath pakad ke Parth usko bhi apne saath le gaya...



Wo log unn dono ko Castle M ke taikhane ki taraf le gaye....ye bahut hi khatarnak jagah thi...yaha pe bahut hi ajeeb ajeeb ghatnaye hua karti thi....Iss school ke bhi kuch raaz the jo bahar kisi ko patanahi the....aur unn raaz ki baaton mein iss jagah ka jikr hamesha kiya jaata tha....



Jab ye dono waha gaye to dekha ki ek ladki hai sayad inhi ki class ki hogi....haa kyunki inhi ke umar ki lag rahi thi...usko waha pe bandh rakha tha....



unn saatho mein se ek ne bola...



Ladka- EK Minor do half blood wo bhi dono ke dono hi warewolf hai...isse accha aur kya hoga....ab hum apne kaam mein jarur kamiyab honge....



Parth ko samajh mein nahi aa raha tha kya ho raha hai par uskli fatti padi thi...same halat uss ladki ki bhi par Slayer usko kuch farkl nahi pad raha tha....



Wo baaki ke saato unn logo ne apne haatho mein kuch mombattiyan li aur fir unko jala ke unn timnno ke chakar katne lage....ye saatho Demos world ki ekl bahut hio prachilit jaadu ka upyog kar rahe the....isme hota ye hai ki jinke saath bhi ye kiya jaaye unki aatmayein aapke vash mein ho jaati hai aap unse kuch bhi karwa sakte ho....ab inn saato ko pata nahi kya kaam tha jo ye sab kar rahe the....Jab ye shuru hua to pahle wo ladki uski aankhe ulti ho gayi m,atlab undertaker ki tarah wo karna hai naa jab aankhon ka black hissa chip jaata hai....Haa bilkul waise hi...aur jab ye hua naa to uske sharir se kuch nikla aur wo chiz uss jagah ghumne lagi...wahi uss ladki ka saar bhi ajeeb tarike se ghumne laga waha pe....Todi der baad Paarth ke saath ye hona shuru hua....uske shjarir se bhi kuch waisa hi nikla fir uski bnhi aankhen ulti hui aur fir wahi ajeeb tarike se saar kaa hilna...



Abhi tak sab kuch unn saato ke hisab se chal raha tha par....Slayer ke saath aisa nahi ho raha tha...uske saath kuch bahut hi alag hua....ye alag unn saato ke liye bahut hi khatarnak tha...jaisa ki aap sab jaante haoi Slayer ko banane mein Sofia ne naa jaane kitne hi insano ko maar diya tha...ginti tak nahi pata hai kisi ko upar se wo roshni jo usko jinda karte waqt usme samma rahi thio wo unn logo ke aatma ko takat deke ek aatma banane ke liye the...ek aisi aatma jisko kaabu karna lagbhag naamumkin hi tha...



Ek baat clear karna hoga yaha pe warna confusion ho sakti hai...jaisa ki kaha tha ki school mein aisa jaadu hai jisse waha pe agar koi hanikarak jaadu ka use kiya jaaye to wo jaadu karne walke ko hi waha se teleport kar dete hai...par kahte hai naa rules bante hai aur log unse bachne ka tarika dhundh lete hai bas aisa hi yaha tha...saatho ne uss kriya ko aapas mein baat liya tha taaki uss jaau ka inpoe koi asar hi naa hoi...



Back to story



Haa to hua ye tha ki SSlayer ke body se bhi uske ander ke saare aatmayein jo ki ab ek aatma ban gayi thi wo bhi itni shaktishali ki usko kaabu karna lagbhag mumkin hi nahi hai...Ab wo aatma bhi bahar aane lagi....aur jaise hi wo bahar aayi...aur Slayer jamin pe girra....uss jagah pe maano manhusiyat chaa gayi thi...waise pahle bhi manhushg jagah hi thi wo par abhi aur jyada manhush ban gayi thi...



Wo saatho jo haato mein mombati liye unn tino ka chakar kaat rahe the aur kuch badbada rahe the...unn sab ki mombati ek ek kar ke bujh gayi...taikhana mein andhera cha gaya....kisi ko kuch bhi nahi dikhne laga ki



aaahhahhhhhahhaaaaa



ek bhayankar cheekh phir....kisi ke hasne ki awaj aayi....



"chihiiihihihi ek chiihihihihhiccii"



ye awaj waha faili....



saare jo waha pe hosh mein the sab ke sab darke maare kaampne lage jab aisi hassi sunni thi...darre bhi kyun naa ek to ye naushikhiye the iss jaadu mein aur iss jaadu ko karne mein agar gadbad hui to apko apni jaan se haath dhona hi padega...ye jaruri hota hai...bas yahi hua....



jassi ki awaj aati rahi aur counting badhti rahi 2 , 3, 4, 5, 6, 7 aur fir acchana se waha roshni hui...jiske baad uss jagah pe 3 log acchanak hosh mein aa gaye...wo tinno the Slayer Parth aur wo Minor ladki...jaise hi tinno ko hosh aaya waise hi waha taikhane mein bhujhe hue masal jalne lage aur waha roshni ho gayi...SLayer ko bada hi ajeeb par accha lag raha tha...ss jagah pe unn tinnmo ke alawa aur koi nahi tha bas wahi tinno the waha pe...Wo ladki usne to ek baar yaha waha dekha usko koi nahi dikha to wo Parth aur Slayer ko usko kholne ko bolne lagi...Oarth aur uss ladki ko bhi ajeeb lag raha tha par ek bandi hui thi iss wajah se aur dusra had se jyada darra hua tha iss wajah se uthna dhyaan nahi diya....Parth jaldi se gaya uss ladki ke pass aur usko aazad kiya...fir tinno jaldi se waha se bhag gaye....sorry do log tisre ko to khinch kew le jaaya gaya tha...



Jab bahar aaye tab bhi nahi rukke wo ttinno sidha class mein gaye jaha wo late ho gaye the...



Prof. - pahle hi din itn.....



Abhi wo aage bolte usse pahle unhone Parth aur uss ladki ka chahra dekha wo samajh gaye ki kuch hua hai to bas tinno ko ander anne ke liye kah diya...tinno baith gaye ek jagah pe...



Hmm class ke baare mein bhi jaan lete hai..to waise to IP madam ne kah diya hai ki sabko saath mein baithna hai per Pure blood wale thahre khud ko mahan samajhne wale haa to unhone class ko do hisso mein abaat diya hai ek hisse mein bas Pure blood hi baithega baaki ke log dusre hisse mein...iss baat pe kuch prof.. bhi unke saath the to IP jyada kuch kar nahi saki kyunki ek baar aisa hua ki kuch minor aur Half blood Pure blood walo ke saath baithe the...par fir unka koi pata hi nahi raha Kahte hai wo School chod ke chale gaye the...par sach kisi ko pata nahi..



Haa to tinno baith gaye...par Slayer ko bada ajeeb lag raha tha...ki tabhi pure blood walo ki taraf se kisi ne ek kagaz feka uski oor...ab Slayer ji kahi aur khoye hue the to usko pata nahi chalta par....ek aawaj usko sunayi di...



"maalik "



ye awaj bas usko hi nahi baaki ke dono ko bhi sunayi di aur dono ne dekha Slayer ki oor wahi Slayer uss Kagaz ki oor...ki kagaz mein aag lag gayi aur wo wapas se pure blood walo ki taraf chala gaya...ussi ke pass jisne fenka tha...ye sab hotye hue Parth ne aur uss Minor ladki ne bhi dekha tha...



Samajh mein nahi aaya unn dono o kuch wahi haal Slayer ka bhi tha usko bhi samajh nahi aaya kyunki usne nahi bheja tha kagaz ko waha wo bhi aag ke saath..



Wo kagaz waha gaya aur ek awaj ke saath fat gaya..jiski wajah se Prof. ki najar usss oor gayi aur jab dekhja to ek student apna muh kalla kiyte hue baitha tha...



Prof. - Ye kya hai...kya kar rahe the tuim...



Wo kya bvolta jab kuch samajh pata tab naa bolta...



Usko Prof. ne bahar milne ko kaha wahi thodi der mein class khatam hui...Prof. ne sabko jaane ko kaha siway 3 logo ke Slayer, Parth aur wo Minor ladki...



Ladki kaa naam hai Neelam



Prof- Hmm batao kya hua tha tinno ke saath...



Tinno mein se koi kuch bolta usse pahle hi awaj sunayi di tinno ko...



"raaz hai ye raaz hi rakho hum kaam aayenge aappke kisi ko mat batao.."



Pata nahi dono ko kya hua Parth aur Neelam ne biol diya ki ground mein kuch seniors pareshan kar rahe the par ek professor ne humme baccha kliya bas issi mein late hue....



Prof. ko unki baat pe yakkin to nahi hua par...phir kuch sochte hue unko jaane ke liye bol diya...



Tinno jab bnahar aaye...



Neelam- WO awaj wo tum dono ko bhi sunayi di thi naa....



Slayer ne kuch nahi kaha wahi Parth ne Haa kaha...



Paarth - Ye sab kahii unn logo ki wajah se to nahi....par wo gaye kaha...



Neelam - tumhe unki padi hui hai wo hum tinno ko maarne wale the...kaas wo tinno hi.,...



"Hum maar hi gaye hai aur ab se Malik ke wafadar hai saath hi aap dono k bnhi..."



Ye awaj aayi aur dono nahi iss baar tinno shocked....Ab Slayer ko bhi kaha pata tha ki aisa bhi kuch hota hai usko to bas kuch baatein bata ke Sofia chali gayi...baaki baatein to isko khud hi sikhni hai to shock aate rahenge...



Thoda der tinno ek dusre ko ghurte rahe...pata nahi Neelam ko kya sujha usne ek kaam bola karne ko....



Neelam- Mere ghhar mein mera puppy hai usko yaha leke aao...



Usne bola aur kuch hi der mein unn tinno ke bich mein ek kute ka baccha aa gaya jisko dekhj Neelam khush bhi thi aur shocked bhi wahi halat Parth ki bhi thi...ab wo bhala kaise picche rahta usne khane ke liye kuchj chijhe mangwayi aur wo aa bhi gayi...



Slayer- Iske baare mein kisi ko pata nahi cchalna chahiye ye hamara secret hai...itna bol wo dono ko dekhne laga...



Parth - Theek hai...



Itna bol wo aur Slayer ab Neelam, ko dekhne lage...



Neelam - Haa thik hai...accha haa mera naam Neelam hai aur main....



Parth- Minor ho ek aisi minor jiske guulam ab Puree blood wale hai...



Itna bol wo hasne laga...uske saath Neelkam bhi hasne lagi..



Thodi der baad ek aur vclass jo ki Castle W mein tha wepoanry wale castle mein waha jaake bhi tinno saath rahe....



Pata nahi ye tinno jo kismat se mille hai inko inki kismat kaha tak le jaati hai...



Aaj ke liye itna hi rakhte hai aage ka update kal milega...



Agle update mein hum bahut aage jaanewale hai matlab ab yahi pe to rah nahi sakte naa Ye Villain hua Hero ko bhi laana hai...to speed badhane ka..Viraj ke baare mein bhi thoda jaanege....Saath hi kuch aur baatein



Banne rahiye....
शानदार भाई
 
Member
104
46
30
UPDATE - 5



Ab tak



Hume dekha tha kaise Parth Neelam aur SLayer ke saath wo sab hua aur fir unke wo saatho unnke gulam ban gaye..



Ab aage



Next day..



Aaj bhi classes thi aaj tinno saath mein the aur Parth aur Neelam bahut hi jyada darre hue the...unko samajh nahi aa raha tha ki ye sab ho kya raha hai...



Hua ye tha ki raat ko dono hi apne apne room mein se pata nahi kaise ussi taikhane mein pahuch gaye the....aur jo kuch unn donon ne dekha wo bahut hi darawna tha dono ke liye....dekha to usko Slayer ne bhi tha par wo uthna nahi darra hua tha....



Abhi ye tinno class mein enter hue aur baithe hi the ki teacher ander aaye ussi dress mein jo inn tinno ne dekha tha...fir chapter bhi wahi shuru hua jo ye log kal raat ko dekh ke aaye the..bas yahi nahi sab kuch waisa hi ho raha tha jiski wajah se Parth aur Neelam dono hi bahut jyada darre hue the...



Class khatam hui...Parth ne Slayer ko khinchte hue ek jagah le gaya jaha koi aur nahi tha Neelam ke alawa....neelam daar ke maare ro rahi thi...



Parth- to aaj hum maar jaayenge...sab kuch bilkul ussi tarah se ho raha hai...



Slayer- Sayad



bas itna bol wo chup ho gaya....



Neelam - main nahi marna chahti abhi abhi to aayi hu yaha aur....nahi nahi main bhag jaaungi yaha se....



Parth- mumkin nahi hai wo tum bhi jaanti ho...



Slayer- Humme unhe hi khatam kar dena chahiye...



Parth- Kya bol raha hai..nahi humme Principal madam ko bolna chahiye...



Neelam - Wo wo nahi maanegi koi nahi maanega...mujhe pata hai sab humme hi pagal bolenge..



Parth- TO kya iski baat maan ke....unko...



Neelam ne ek baar Slayer ki oor dekha...



Neelam- tum sahi ho humme khud ko bachane ke liye unko khatam karna hoga...par...



Parth- ye kya hai tum bhi arre koi aur rasta hoga naa....



Neelam- Nahi hai rasta koi raasta nahi hai dekha nahi tha kal kaise humme maar diya tha....ye sab humme pata chal gaya...taaki hum khud ko baccha sakke...



Parth- Par...



Abhi wo aur baat karta ki ghanti baj gayi next class ki aur ussi ke saath Parth aur Neelam ka dar bhi badh gaya....



Neelam- Mujhe ek talwar chahiye...



Uska itna bolna tha ki ek talwar uske haath mein aaa gayi...



Slayer- Ek kulhadi....



Uske paas bhi ek kulhadi aa gayi...



Parth ne kuch nahi bola...wo waise hi raha aur karib 2 minute mein hi uss pure jagah pe kohra(fog) chaa gaya aur tinno ke tinno gayab....



Saamne kuch log khade the...sabhi ke kapde ajeeb the...aur chahre dhake hue...



"to ye hai...wo jinki wajah se...chalo khatam kar do inko..."



Ek aadmi jo beech mein tha usne kahha aur uske kahte hi 3 log unke saamne aane lage daudte hue...



Slayer apne haath mein kulhadi liye ekdum sidha khada tha wahi Neelam ne talwar pakad rakha tha...aur Parth wo bas khada tha...



Waha se wo log aaye aur unpe humla karne lage...unke haathon mein bhi kuch hathiyaar the....



Slayer ne ek unka war doutch kiya...Neelam ne bhi par wo Parth wo bas khadda tha...ye marega aaj....



Wo to accha hua ki Neelam ne usko bhi bacha liya.....aur issi waqt Parth ko bhi hosh aaya aur usne ek Bhale ke baare mein socha aur bhala uske haath mein....aur wo bhi shuru ho gaya....



Yaha pe bada hi ajeeb scene tha yaar ye Slayer ka samajh mein aata hai usme powers hai to wo aaram se lad raha hai par Parth..chalo uska bhi maan lete hai lekin Neelam wo bhi kammal kar rahi thi...wo har hamle ko naa sirf rok rahi thi balki maar bhi rahi thi....



Jyada der nahi lagi unn tinno ko maarne mein unko....uske baad jo bacche hue log the wpo aaye aur unke saath bhi kuch ussi tarah ka hua.....aur wo sab bhi tata bye bye ho liye...



Bas ek banda baccha tha wo waha se chala gaya gayab ho gaya...



uska jaana uske baad waha pe jitne bhi log marre the sabke body se kuch nikla aur wo sab Slayer ke ander chala gaya...



Thodi hi der mein wo tinno wapas se ussi jagah pe khade the jaha pe se wo gayab hue the...waqt dekha to abhi bhi wahi waqt tha jab wo gayab hue the....ye aur bhi ajeeb tha..tinno jaldi se class mein gaye aur waha pe class attend ki shaam ke waqt fir tinno mille...



Parth- ye kya tha....



Neelam - pata nahi hum jis waqt yaha se gaye the ussi waqt yaha pe wapas aa gaye the...



Slayer- Tum bahut accha ladi Neelam...



Parth- Haa tum to kisi expert ki tarah talwar chala rahi thi....



Neelam- hmm apne dad se sikha hai ye sab...unhone hi mujhe sab sikhaya hai aur abhi itna kuch aata hai ki yaha apne se 1 saal senior wale ko dhul chata du...



Parth- fir uss din..



Neelam - wo log mujhe dhokhe se pakad laaye the...wo sab chodo aur ye batao ab aage kya...wo jo ek bhag gaya wo pakka wapas aayega...



Slayer- Hmm aayega aur maara jaayega..



Parth - to kya humme ye karte rahna hoga...



Slayer- Ant mein wahi bachta hai jo bachne ke layak hota hai....



Itna bol wo aage badh gaya Dinning hall ke taraf khana khane ko....



Yaha se shuru hui inn tinno ki ek alag jindgi.....



2 saal baad....



Ye sab ab ek aam baat ban gayi thi tinno ke liye....week mein 2 baar aisa hi koi sapna inko aata aur fir uske baad tinno ko ladna hota tha apni jaan bachane ke liye...ye kisi training ke jaisa tha inke liye...issi beech Parth aur Neelam ko pyaar ho jaata hai ek dusre se...ab agar inke academics ki baat kare to ye tinno apne class ke toppers mein ginne jaane lagge....Magic ho yaa waeponary tinno hi bahut acchha kar rahe the aur iska kaaran wo ladaiyan bhi thi jo inko week mein 2 baar karni hoti thi...



Wahi dusri taraf Strange world ke school aur Earth ke school ke bich kisi competition ki baat shuru hui thi...jo ki Earth pe hona tha...competiton to ek bahana tha waha se kuch log aaye the jo yaha pe inspection karne wale the...pichle kuch waqt se bahut si ghatnaye hone lagi thi yaha jinpe shuru mein to dhyaan nahi diya kisi ne par ab sabka dhyaan gaya hai... Haa kuch logo ne khabar kari thi waha pe par waha se koi bhi jawab hi nahi aaya aur ab baat badhne lagi thi kyunki lagbghag bahut saare pure blood wale yaa to lapata ho gaye the nahi to unka swabhaw aisa ho gaya tha jaise wo kabhi wo the hi nahi...



inn do salo mein IP ke saath kuch aise hadse hue ki unko school se nikal diya gaya...aur ab school ki jimedari ek aise saksh ke haath mein thi jo uss kabil tha hi nahi...



Wahi VIraj inn do salo mein wo bhatakta raha tha Earth pe hi naa jaane kis chuiz ki talash mein wo bas bhatakta raha aur ek din achanak usko uski manzil mil gayi...Ek guffa ....wo waha gaya aur ander usko ek bahut hi jyada budha aadmi milta hai usko dekh ke aisa lag raha tha ki wo kayi hazar salo se wahi pe hai dhyaan mein baithe hue....



Viraj bhi unke pass jaake baith jaata hai...aur intezar karne lagta hai ki kab wo uthe aur wo unse baat kare....issi bich IP ne apna thikana ab Earth pe hi bana liya tha...wo roop badal kar insano ke bich rahti thi...aur sayad unhi mein kho jaana chahti thi....waise jo ilzam unpe lage the wo bhi apni puri umar uss school ke naam karne ke baad uske baad koi bhi khoo jana chahta bheed mein...Haa inn sab mein bhi unn tinno ka hi haath btha Parth Neelam aur Slayer...



Aaaj ke waqt mein agar sach kaha jaaye to inn tinno se jyada saktishali sayad hi koi hoga....Students ke bich baaki teachers ko sahi raaste pe laane ke liye tinno ne bahut hi accha plan bana liya tha....Yee log unko fasa lete the kisi bhi trah se unko yaa fir unke family ko aur fir unke through apna kaam karte rahte the...



Sayad hi ab School ke library mein koi aisi kitab bacchi ho jo inn tinno ne naa padhi ho...ye sab kuch jante the...aur yahi wajah thi ki ab Sofia ke yaha aane ka waqt hoo chala tha....aur wo aaayi bhi aur aate hi jab usne Slayer ke saath uske 2 saathi ko dekha to wo kuch naraz hui aur kuch khush bhi...Narazgi ki wajah bhi kuch rahi hogi ayur khusi ki bhi....



Dekhte hi dekhte ye games bhi khatam ho gaye aur kammal ki baatye hui ki inn games ke dauran kuch gadbad nahi hui waha pe...saath hi jo log inspection ke liye aaye theunhe bhi kuch nahi milla...haa kuch baate pata chali par wo normal thi unse kuch bhi clear nahi ho sakta tha...



Karib 1 saal baad hi Parth aur Neelam dono ka pyaar bahut jyada aage badh gaya tha aur Neelam pregnent ho gayi...Jab ye baat Parth ko pata chala to usne usse shadi karne ka faisala kiuya...rahi baat school ki to inn dono ne school aur Slayer ka saath chodne ka faisla kiya kyunki inko lagne laga agar inka baccha aise mahool mein araha to wo kuch aur naa ban jaaye...bas dono nikalne ko taiyaar ho gaye....Ye baat Slayer ko pata chali unhi aatamayon se jo inn tinno ke hi gulam the...Par shuru mein Slayer ne kuch bhi nahi kiya usko iuss waqt tak yahi lag raha tha jki ye dono apna maan badal lenge aur fir yahi rahenge par aisa nahi hua...wo dono ke dono nikal gaye..



Ye baat jab Sofia ko p[ata chali to usne jyada react nahi kiya jaise usko pata tha ki ek naa ek din ye hoga hi...usjko pata tha ki SLayer ke saath koi aur hamesha ke liye rahe ye mumkin hi nahi hai...



Slayer ko bhi ab inn donmo ki aadat si ho gayi thi tinno saath hi raha karte the jo bhi karte saath hi mein karte naa jaane kitni baar hi teeno ne kya kya kiya tha saath mein...



Wo dono inshan ke bich chalegaye the apni pahchan chuupa li thi unn dono ne par Slayer se kaise chupte Slayer ko pata tha kaha pe hai wo dono par...wo unn donmo ko kuch karna nahi chahta tha abhi ke liye khaskar aage ka sayad usne kuch soch rakha ho....



Sofia ne uske jariye Earth ke school pe pura apna kabja bana liya tha aur ab uski nazar strange world pe thi par Slayer ...uske dimag mein kuch aur hi chal raha tha...wo bas ab apne baare mein sochne laga tha...hota hai aisa pahle tinno dost banne fir ek din acchanak unme se do kisi ek ko chod ke chale jaaye to bura to lagta hai aur aise cases mein log khudgarz se ho jaate hai bas yahi mamla Slayer ke saath bhi tha usne bhi wahikiya...ab wo kisi ki baat nahi sunne laga tha agar koi usko kuch kahe to usko unsuna kar do School bhi usne ussi waqt se chod diya tha...Ek din pata nahi kya sujha uskko wo apne ghar yaani wahi guffa jaha usko banaya tha wo waha jaata hai aur uss jagah ko aag laga deta hai SOgfia bhi ander hi thi aur wo bhi jal jaati hai...Viraj ne sahi kaha tha usko ki ye tumhe bhi maar dehga....Ye sab jo bhi tha ab usse wo aatamayen karwa rahi thi jo uske ander thio...unhe khurak nahi mil raha tha ...Slayer ne Parth aur Neelam ke jaane ke 2 mahino tak kuch nahi kiya tha sayad yahi wajah rahi ki unn aaatmayon ne usko upar kaabu kar liya aur usse wo karwa baithe...Jaise hi Sofia jalli aur uski aatma bhi Slayer ke ander gayi Slayer wapas se theek ho gaya...wo samajh gaya ki agar sahi rahna hai to bhookh mitate rahna hoga aur bhoookh mitegi nayer naye aatmayon se....shuru mein kuch dukh hua hoga usjko Sofia ke marne ka fir wo wo sab chod aage badh gaya...



Sofia ne apni saari vidyayen inn tinno ko hi sikhayi thi...har ek kaali vidya...aur tinno ne hi unko acche se sikha tha..



Ab jab Sofia nahi rahi to uska sapna bhi nahi raha ab bas bach gaya tha to Slayueraur uski bhookh haa bas yahii bacchi hui thi uske liye..



Slayer ab logo ko maarne lagatha mazze ke liye bhi aur bhook mitane ke liye bhi....par usne ye paya ki magical creatures ko maar ke unki aatma khanemein jo mazza miltta hai wo inn insano ko maar ke khane mein nahi milta...to usne tay kiya ki wo yaha se abhi ke liye chala jaayega Dark world mein jaha pe wo apna khud ka samrajya banayega aur wahi par se shashan karega...har ek planet pe....



Bas ye soch wo Earth se nikalne ko taiyaar ho gaya par..ek aakhiri kaam karne ke baad uusne ye soch liya tha ki yaha pe wo aoisa kisi ko nahi chodega joki usko jaanta ho...aur usne shuru kar diya aisa karna...pahle school mein phir shool ke bahar....aur dekhte hi dekhte bas 2 hi log bacche uski nazar mein jo usko jaante the aur wo the Parth aur Neelam....



Parth aur Neelam dono ka baccha ho chuka tha ek beta thga unka..bada hi alag sa ho bhi kyun naa Vamprie ladki aur warewolf ladke kaa baccha tha wo....



Slayer ne unhi aatmayon se unn dono ka pata pucha aur pata milte hi Slayer nikal pada unn dono ko maarne ke liye...par aatmayin inki bhi wafadar thi unhone inhe bhi bataya ki wo aa raha hai inko khatam karne ko....Kuch bhi samajh nahi aa raha tha inn dono ko iss waqt tabhi pata nahi kaha se ek budda sa aadmi ek ahjeeb se kapde mein aata hai inke yaha aur inko kuch baate kahta hai...aur ye dono hi apne bacche ke saath kuch poal bitta ke usko uss bhudde ko saup dete hai saath hi mein kuch chitthiyan bhi aur kuch saman bhi...jaate waqt dono ne uss buddhe ka shukriya kiya aur apne bacche ko kiss kiya...



unke jaan eke baad...



Parth- To kaise marna pasand lkarogi tum usse lad ke yaa fir...



Nellam - Ladungi mein usse uski wajah se apna baccha...aane do usko jab tak wo mujhe nmaar naa de tab tak usse ladti rahungi aaakhiri saans tak...



Parth- Aakhiri saans tak..




Slayer- hhahahhaha aakhiri saans tak...



Wo aata hai aur fir ladayi shuru...Slayer ke haath mein wahi uski kulhadi thi....



Slayer- mujhe chod ke chale aaye kyun kya main itna bura ho gaya tha....



Bolte hue usne waar kiya Neelam pe...usne bhi jaadu se apne pass ek talwar magwayi aur usse ladne lagi....Wahi Parth bhi apna bhala manga ke usse ladne lag gaya...par...Slayer ab tak bahut hi jyada takatwar ho chuka tha uski power bahut badh gayi thi aatmayon ko khate kahte....ye ladayi jald hi khatam ho gayi aur Neelam aur Parth ki aatamayen unke body se nikal gayi...par jaise hi ye hua ek baar wo puri jagah safed roshni se bhar gayi aur waha pe bahar se 2 aatmayen aayi aur wo Slayuer ke ander chali gayi aur unn dono ki aatmayein kahi aur chali gayi...



Slayer isse anjan tha wo yaha se nikal gaya...aur jaa pahucjha Dark world jaha se wo har ek planet pe shashan karne ka soch raha tha...par uske jaate hi Earth ke charo tyaraf ek aisa kawach ban gaya jiske paar Slayer kabhi nahi jaa sakta tha...par Slayer ne ispe dhyaan bhi nahi diya....uske dwara logo ko maare jaane ke baad yaha Earth pe bhut si afwahe fail gayithi magical creatures ke bich jisse uske naam ka ek khauf sa ban gaya tha...School ki bhi halat bahut acchi nahi thi...kuch teaches lapata ho chuke the students ka bhi wahi haal tha...sab kuch uthal puthal hua pada tha...issliye School chlte rahne ke liye kuch waqt baad yaha pe naye tteachers aur Strange world se hi naye naye naye...students bhi aaye...



Chalo ye sab chodo aur ab hum uss bacche ke paas chalte hai Parth aur Neelam ka baccha...Wo iss waqt usssi guffa mein hai jaha pe Viraj gaya tha 1 saal pahle uss bhuddhe aadmi ke pass.....uss aadmi ki aankhen aaj hii khuli aur usne sabse pahle Viraj se uss bacche ko hi laane ko kaha...Wo baccha abhi ussi ke goad mein tha...



Buddhe aadmi ne Viraj ko kisi ko lane ke liye wapa bhej diya...aur uss bnacche ko dekhta raha...Viraj ke jaate hi uss guffa mein Neelam aur Parth ki aatma aati hai...jisko dekh wo buddha muskurata hai...



Neelam- Iska khayal thik se rakhiyega...kaash main rakh paati...



Buddha - Iska khayal main nahi balki wo rrakhne wali hai jinko tum lohgo ke karan naa jaane kya kya sunna pada...



Parth aur Neelam ko kuch bhi samajh nahi aaya...



Bhudhe ne ek locket liya apne haath mein aur unn dono ko ussi locket mein band kar diya aur wo locket uss bacche ko pehna diya...thodi hi der mein waha pe IP aayi IP ne pahle se hi chauki hui thi Viraj ko dekh ke jo usko lene gaya tha aur ab to aur jyada chauk gayi jab saamne baithe iss bhudde aadmi ko dekha usko samajh hi nahi aa raha tha ki ye yaha kaise....par wo koi sawal kiye binna uss aadmi ke samne jhuk gayi...



Budha- IP khadi ho jaao main tumhe ek bahut hi badi jimmedari dene wala hu kya tum taiyaar ho...



IP- aapne mujhe kisi kaam ke kaabuil samjha Lord ye merikhushkismati hai aap jo bhi bolenge main karne ko taiyaar hu...



Buddhe ne wo baccha Ip ko thama diya aur uska dhyaan rakhne ko kaha aur wo khud Vuiraj ke saath waha se chala gaya...



IP bhi waha se uss bacche jko lekar chal di insano ke bech jaha wo rahti thi...apne ek chote se ghar mein...





Aaj ke liye itna hi rakhte hai ab seedhe milenge 18 saal baad....jab ye baccha bhi school mein jaaayega...tab dekhenge school mein kya kya badla hai...



Slayer ke bahut se kaarname jo usne school mein kiye hai wo sab aapko aage dekhne ko milenge as flashback



banne rahiye..
शानदार भाई
 
Member
104
46
30
UPDATE -6



Ab tak



Bahut kuch hua pichle update mein...Sofia ko jala ke maar diya Slayer ne.....yaa uske bhookh ne...uske saath naa jaane aur bhi kitne hi logo ko maara tha Slayer nme yaha tak ki apne dost Parth aur Neelam ko bhi maar diya tha usne..aur fir Earth ko chod Dark world mein chala gaya tha wahi Neelam aur Parth ka ek baccha bhi tha jo abhi IP ko de diya gaya tha...



Ab aage...



After !8 years



Insano ki basti...sorry saher....Haa saher hi hai jaha pe ek aam se school se ek ladka bhagte hue nikal raha tha.....uske picche se aur bhi ladke aur ladkiyan bhaag rahi thi...wo School ki chutti hui thi naa bas ussi wajah se....sabse last mein ek ladka ajeeb sa dubla patla..aankhon pe mota sa chasma tha uske..dhire dhire bahar ki oor jaa raha tha...



"ooye Prateek chal naa bee ab kya yahi rahega..."



"aa raha hu...yaar aaj aakhiri din hai yaha humara...yaha se jaane ka dil hi nahi kar raha mera.....kitni ajeeb baat hai naa jab school aana hota tha to hum bunk maara karte the aur aaj jab pata hai ki ab yaha nahi aana hai to bura lag raha hai..."



"Ye nahi shudhrega sala jaha dekho wahi shurru ho jaata hai....Accha sunno tum dono main aage ki padhayi ke liye dusri jaggah jaa raha hu..tum dono ka kya hai..."



"main bhi bahar jaa raha hu dusre saher mein..wahi padhayi karunga aage ka...Prateek tera kya plan hai.."



Arre Intro bhul gaya yaar :sigh:



Prateek- ye hi hai wo ladka Paarth aur neelam ka beta...unn dono ne kuch aur naaam diya tha isko par IP ne wo naam badal ke Prateek naam rakh diya...hoga koi kaaran...umar 18 saal se bada hai ye....aankhhon pe ek motta sa chasma..sarir dubla patla....aur kya hi kahu haa iski eyebrows milli hui thi...baaki sab dekhne mein ekdum normal saa lagta tha ye...



(prateek ke respect mein)



Main unn dono se ye sab sunn wapas se uddas ho gaya..Master mujhe kahi nahi bhejegi...wo mujhe yahi ope rahne ko kahegi...aur main bhi unki baat maan lkunga jaise aaj tak maante aaya hu...



Main kuch nahi bola aur waha se nikal gaya...



Hamara ghar pahle saher ke biccho bicch hua karta tha par kuchb saal pahle humne shift jkar liya...saher se thoda dur...jaha pe log kam the...yaa naa ke barabar....Master yahas mujhe ladne ke tarike shikhati hai...ab tak to main bahut kuchg seeekh chuka hu par kabhi Mastrer ko harra nahi payya...aur kisi aur pe wo mujhe ye sab use karne se manna karti hai...waise use karne ki jarurat hi nahi padhti yaha sab friendly hai...Haa kuch log mille the jo sahinahi the...par wo khud se mujhse dur ho jaate the...pata nahi kya tha....



Main School se nikal ke cycle leke chal diya ghar ki oor....



Meri speed bahut acchi thi...yaha se mere ghar tak jaane mein jaha ogo ko 30 minute tak cycle chalana padhta tha wahi main 5 minute mein waha pahuch jaata tha...par fir bhi master m,ujhe kachuwa kahti thi...



Main ghar pahucha...Master bahar garden mein baithi meditate kar rahi thi...haa wo mujhse bhi meditate karati hai...usnka kahna hai ki isse aap kisi ek chij pe jyada der tak focus ar sakte hai aur usko samajhne mein aapko aasani hoogi...ek baar mein hi aap kisi bnhi nayi cheez ko seekh sakte hai...



Yaad nahi kitne saalo se ye meditation karta aa raha hu main...



Maine cycle park ki aur fir kitchen mein jaake herbal tea banayi 2 cup ek Master ke liye aur ek mere liye...tea leke mein unke opaas gaya aur tea ko unke pass raklh fdiya...unhone aakhen kholi aur cut utha ke tea pinne lagi...



Master- School khatam kar liya tumne...ab aage ka kya socha hai...



Main jaanta tha ki nab kya hoga aakhir pahle bhi jheel chukka hu naa..ye pahle mujhse mera maat puchegi fir usko accha batayegi aur sab sahi chal raha hoga mere dimmag mein uss jagah pe jaake rahne tak ki planning ban jaayegi tab ye bolengi waha nahi tunm kahui aur jaaoge...



Main- Mere dost bahr jaa rahe hai study ke liye...main bhi...



Master- Hmm tum bhi jaana chahte ho hai naa...



Main- Haa Master main jaana chahta hu par...



Maater- Koin par war nahi tum jaaoge bahar sstudy ke liye...bas ye tay ho gaya....kal subhah humara saman pack karke rakhna...



Main ye sun ke ek baar itnna jt=yada chaunka ki muh mein jo herbal tea thi wo bahar niikal gayi...kaano pe yakkin hi nahi ho raha tha aaj Khud master ne bola mujhe ki main bahar padhne jaa sakta hu.....Maine 1 baar aur puccha pakka karne ke liye kahi aisa to nahi ki kaan khrab ho gaye hai mere..



Main jaldi se utha aur apna aur unka saman pack karne laga...jana kal subah tha par main abhi se laga hua tha...aisa lag raha tha kahi agarkuch chut gaya ho aur Master ne usko dekh apna mann naa badal de..bas yahi sab sochte hue main raat ke khane se pahle hi saari packing kar daali.....uske baad Raat ka khana banaya aur fir maine aur Master ne khana khaya...FIr main apne room mein chala gaya...



Room ke baare mein bata du...sayad ajeeb ho..par ye room bilul waisa hi tha jaise room mein main pahle se rahta aaya hu...ajeeb bas ye hai ki room ke dewaaron pe ajeeb tarah ki drawing banni hui thi aur ye...pata nahi kuch to tha inme...aisa lagta ki ye mujhe rokti ho bahar jaane mein....iss room ki ek aur baat thi...jab bhi mainj gussa ho jaata kissi bhi baat pe yaa fir kuch waisa hi main iss room mein aata aur fir jaadu ki tarah sab sahi...ajeeb hai naa...yaha pe naa agar mein bnahut jyada thaka hua bhii aata tha yaa fir chotton ke saath to thakan yaa wo chotten sab bahut jaldi hi khatam hoo jaati thi...kuch to ajeeb tha iss room mein....



Aaj mera yaha pe aakhiri din hoga...main saab kuch dhyaan se dekh raha tha sab kuch....fir bedpe leta aur soo gaya..



Next morning....



Meri aankh ek darawane sapne se khuli....aur jab khuli to....sab kuch ajeeb sa lag raha tha aisa jaise main...main nahi hu...mujhe apna sharir thoda alag sa lag raha tha...maine apne haath dekhe...to haath baalo se bhare hue the...nahkhun the lambe lambe haathon mein...



Ye sab bilkul ussi sapne jaisa lag raha tha...usme bhi yahi hua tha main ek jagah khada hu saamne mere ahut hi ajeeb ajeeb log the..jo insan ki tarah dikhte the par unki height bbahut jyada thi...(Devta)....kuch unse thode chote the par unn sab ki age bahut jyada lag rahi thi haathon mein ek ajeeb si stick..aur sar pe conical topi...(jadugar)...fir kuch aise bhi the jo insan ki tarah hi the sayad par kisi ke kaan bahut lambe to kisi ki punch to kisi ke pankh....naa jaane kya kya tha waha pe...Aur unn logo ne meri oor kuch fenka jo seedha mere body mein samma gaya aur main hawa mein udne laga....daant bahar aa gaye mere sarir baalon se bhar gaya...sar dard karne laga mein chillane laga...aur fir dhadam se jammen pe aur behosh hone se pahle Master waha aa gayi aur main unki goad mein...ki tabhi mujhe Master kisi billi ki tarah dikhne lagi aur...itnne mein meri neend khul gayi...



Main uss soch se bahar aaya aur fir se ek baar haath ki oor dekha..sab sahi tha...bilkul normal....maine socha ki ye sab bas uss sapne ke karan hua tha...main bed se utha aur paani se muh dhoya...aur jaaise hi mirror mein khud ki sakal dekhi...dar ke picche ho gaya....iss waqt sakal itni darawani lag hi rahi thi..maine apni aankhen saaf ki aur fir se dekha to sab normal hi tha..par ek baat ajeeb thi binna chasme ke main khud ka chahera saaf saar dekh paa raha tha...saath mein mirror pe lage hue sticker pe chote chote sabdon mein jo likha hua tha wo bhi....



Main room se jaldi bahar gaya....Master ke pass ye sab batane ko ki...par wo milli hi nahi...ek chithi milli mujhe..Chitthi mein kuch likha tha aur saath mein ek sikka tha usme ajeeb saa sikka jisme ek aadmi ki sakal thi par uske kaan bade bade the jaise sapne mein dikha tha...



"Saaman pahuch gaya hai waha pe humara Main kisi se milne jaa rahi hu...ek bus aayegi ghar ke paas usme baith jaana....wo kuch bolle to ye sikka dikha dena unhe..."



Bas itna hi likha tha par ye sab bada ajeeb tha...mere ghar ke pass...Sorry master ke ghar ke pass jo ki saher se dur hai...jaha bahut kam log aate hai waha pe ek bus aaayegi...aur waha wo ajee sa sikka dena hai mujhe..aur Master mere se pahle hi kahi jaa chuki hai...ye sab ajeeb tha aur abhi main soch hi raha tha ki....



poooonn ppppooooooooonnn ppooooooooooooooooonnnn



horn ki aawaj aayi aur...maine bahar dekha to ek badi si bus khadi thi jiske upar ajeeb ajeeb se drawning banne hue the...



"ooye bacche chalega bhi yaa jaun main....tere kaaran late ho raha hai..."



Main abhi tak nahaya bhi nahi tha aur Bus bhi aa gayi thi haa ajeeb hi thi....aur bus wala thoda chidchida lag raha tha..Main waise hi chad gaya bus mein ye soch kar ki waha pahuch ke naha lunga...



Main gate band karke lock laga ke nikal gaya ghar se...haa isme 10 minute lag gaye mujhe...sab kuch check bhi to karna pada...phir bus pe chada to Bus conductor pura gusse mein...



"Kaha jaana hai..."



Ab yaha pe mere ko samajh nahi aaya kya kahu...pata hi nahi tha kaha jaana hai naa to maine hi pucha tha Master se aur naa unhone bataya tha....kuch samajh naa aaya to wo coin nikal ke usko dikha diya...



Usne coin ko dekha...fir mujhe dekha...



"Kamra number 23 mein jaao.."



Main - Kamra number ????..



B.Conductor- Arre yaar kon chod deta hai aise naye logo ko akele safar karne ke liye...Mohit isko iski jagah dikhao re...ooye Driver chal be jaldi waise bhi der ho rahi hai....Pata nahi kaha kaha se aa jate hai..



Wo bol hi raha tha ki kisi ne mere kandhe pe haath rakha aur main piche mudda koi nahi tha aage mudda waha bhi koi nahi tha...aur ekdum dekhte hi dekhte jaha mein khada tha wo jagah hi badal gayi..Main ek room mein pahuch gaya...par ye kaise main to bus mein tha wo bhi gate ke paas aur ab room mein...



Itna sab kuch kabhi nahi hua tha mere saath ki tabhi darwaje pe khatkhat hui..aur main waha darwaje ke paas gaya darte hue....dar to lagega naa ab aise hi achanak se kuch bhi hone lage to dar to lagega hi naa...



Waha darwaje pe pahuch ke darwaja khola to ek ajeeb sa dikhne wala aadmi...haa aadmi hi hoga...bas uske baal nahi the matlab ek bhi baal nahi chahre pe....eyebrows bhi nahi....ab kya hi kaha jaaye isko....ek pal ko to koi bhi dar jaayega....upar se main to pahle se hi darra hua tha...to cheekh hi nikal gayi....salle ko maarne wala tha mein ki wo bhi cheekhne laga...sala chal kya raha tha...



Wo- chilla kaahe rahe ho...salla Heart attack se maar murra gaye to kaa hoga samajh mein aata bhi hai kuch....chalo kamra khali karo stoppage aa gaya hai tumhara....bekar mein darata hai....



Wo itna bola aur darwaja band karke chala gaya wahi main....shocked ki wo tha kon aur kya bol ke nikal gaya ki tabhi ek jor ka jhatka saa laga mujhe aur main...main road pe khada hua tha...Haa road pe...bagal mein aur bhi log the...par ye sab ke sab insan ki tarah hi dikh rahe the...



Mere ko kuch samajh mein nahi aa raha tha pahle wo bus fir wo room aur ab ye...aakhir ho kya raha tha...aur jab kuch samajh mein naa aaye to ek hi kaam kar sakte hai aur wo hai...ruk ke sochne ka...par yaar yaha wo bhi nahi ho raha tha..abhi abhi main road pe tha aur dekhte hi dekhte ab mein kisi garden mein ek line mein khada tha...jaha pe aur bhi bahut se log the aur wo kisi bade se jagah mein jaa rahe the..main jab thodi der rukka raha waha to picche se aawaj dene lag gaye...sab ki aage chalo aage chalo...



Main aage badha aur fir uss Gate ke pass pahuch gaya jaha pe sab jaa rahe the...



"Pahechan bataiye.."



Main- Pahechan ????



Abhi kuch karta ki ek aadmi aaya..Haa ye ek perfect aadmi ki hi tarah dikh raha tha bas iska pet kuch jyada nikla hua tha...



Aadmi- Ye mere saath hai...chalo beta ander aao Kabse sab tumhara intezar kar rahe hai...



Main usko jaanta nahi tha...wo mere ko beta bol raha tha..agar aur koi din hota naa to kabhi naa jaata uske paas par chuki aaj sab kuch itna ajeeb ho raha tha ki...to main bhi chal diya uske saath....



Aadmi- Koi dikkat to nahi hui naa beta aane mein.....chalo ab mere saath aao...



Dikkat kya hi bataun dikkat ka kuch samajh mein hi nahi aa raha tha ki kya hua kaise hua....main yaha tak paucha kaise...



Aadmi- aarre beta kya hua..



Main kuch nahi bola aur o bhi chalne lage...main bhi unke picche picche chalne laga...aur dekhte hi dekhte ek bade..se castle ke saamne pahuch gaye hum log...



Aadmi - Chalo ander chalo..log intezar kar rahe hai...



Main ander gaya to waha pe Master pahle se thi...main unke bagal mein jaake baith gaya...saamne wale chair pe ek aadmi baitha hua tha...jo sayad kuch dekh raha tha haathon mein leke aur uss waqt bahut hi jyada uddas tha aur gusse mein bhi...



Aadmi- Madam hum bahut sarminda hai inn sab ke liye jo kuch bi hua...wo bahut hi galat hua..par ab hum aapke liye kuch karna chahte hai...



Master- (meri oor ishara karte hue) isko yaha daakhila do...saath mein isko special batch....samajh rahe ho naa usme bhi rakhna hai....



Aadmi- Admission to main karwa dunga par special batch...aapko bhi pata hoga ki wo sabke liye nahi hai...uske liye test dena hota hai...



Master- Maine ye to nahi kaha ki binna test ke...lelo..



Aadmi- Hmm..waqt ka bhi bata dijiye..kitna waqt chahiye isko...



Master- Aap taiyaari kariye...ye taiyyaar hai...



Mere samajh mein nahi aa raha tha ki kon sa test aur kis chiz ki baat ho rahi thi...



Wo aadmi apne table pe rakhe hue ek bell ko bajata hai aur bahar se kuch log aa jaate hai...



Aadmi- Madam ko unka room dikhao...(Master se) aapko wahi room diya jaa raha hai jisme aap pahle rahte the...aur ab aapki post ki baat karre to aap..iss school ke Chancellor ki post di jaati hai...Ye sab Strange world se tay hua hai..sath mein aap samajh rahi hai naa Orion aur Titan planet bhi...



Master- Ye sab abhi batane ki jarurat nahi hai....Baad mein baat karte hai pahle iska test le lete hai..



Aadmi- Hmm...(logo se) samajh gaye naa jaao...



Sabhi nikal jaate hai...



Master bhi chair se khadi hoti hai aur..mujhe dekhti hai....main bhi khada ho jaata hu...aur fir waha se...nikal jaate hai hum dono...



Bahar jaate hi maine....



Main - Master aaj bahu....



Master- Hmm pata hai ab wo chodo jo main bata rahi hu wo suno...



Main - Ji master...



Master- Kuch der mein tumhe ladna hai....2 log honge...unko harana hai....ho sakta hai wo kuch aisi chize jaante ho jo tumhari soch se bhi parre ho par tum unhe haraoge...samhje...



Main - Hmm



Aaj pahli baar master ne mujhe ladne ko bola tha....aaj unki sikhayi hui har ek kala mein use kar sakta tha...m,aster ne bola tha Jitna hai matlab jitna hai...



Master- Chalo mere picche...



Aaj ke liye itna hi agle update mein dekhte hai...kaise Prateek ladta hai...2 fighters se..wo bhi binna magic ke kyunki usko magic aata hi nahi hai.....Saath mein school mein tab se ab tak hue badlaon ke baare mein bhi jaanege..aur bhi kuch baatein.....



Banne rahiye...
मस्त अपडेट भाई
 
Member
104
46
30
UPDATE -8



Ab tak



Main...Prateek..apni master ke saath...jinke saath mein rahta aaya hu...aaj ek ajeeb se jagah e aa gaya hu..mere khayal se yaha jaadu sikhate hai....Master ko yaha bahut respect mil rahi hai...maine abhi hi ek fight kiya....aur maine unhe thakka ke harra bhi diya....par uske baad koi Poonam karke aati hai aur mujhe galle laga leti hai...main isko jaanta bhi nahi...kuch der mein pata chala wo yaha ki magic wali teacher hai....Master ne usko aur mujhe apne saath chalne ko kaha aur hum wha gaye tab hi wo pata nahi kya kya bole jaa rahi thi..ki tabhi gate knock hua...



Ab aage..



Master ne bas darwaje ki oor dekha aur darwaja khul gaya....main ye dekh chock jata agar aaj jo kuch bhi hua wo nahi hua hota to par ab wo sab dekh ye samajh mein aa gaya tha ki Master ko bhi bahut kuch aata hai tabhi unki itni respect hai yaha....



Darwaje pe wahi aadmi tha jinse main unke office mein milla tha Master ke saath...



Aadmi - Madam mujhe pata chala ki hamari Magic ki professor Ms. Poonam ji yaha aayi hai to milne chala aaya...unse..kya kuch der unse...



Master - Hmm aiye



Main wahi tha to uss aadmi ne mujhe dekha fir Master ko...main samajh gaya ye mere yaha hone pe sawal utha raha hai....main utha aur jaane laga bahar...



Master - Balcony mein jao waha se bahar ke nazaro ka mazza lo humari baatein jald hi khatam ho jaayegi...



Main - Ji Master...



Main room se hote hue balcony mein chala gaya aur bahar dekhne laga...Badi hi ajeeb jagah thi ye....saare log dikhte to insan ke jaise hi the lagbhag par sab alag the...main abhi dekh hi raha tha ki wahi ladka wapas dikha jisko fight ke liye jaate waqt dekha tha ek room mein...jisko wo ladkiyan ghere hue thi.....abhi wo aage bhag raha tha aur kuch ladkiyan jo sayad wahi class wali hi thi....apna haath aage karke kuch fenk rahi thi uske upar...aur wo bechara bhag raha tha..kabhi yaha kabhi waha...main usko dekhe jaa raha tha....



Thodi hi der to hui thi ki Master ne mujhe ander aane ko kaha main bhi ander chala gaya....Waha gaya to wo Poonam ji...wo badi khush thi...pata nahi kya hua tha unko....



Poonam- Madam isko main le jaaun kya shopping karane ko..



Master - Haa le jaaao...tumse accha iske liye kon shopping karega...



Maine Master ki baat sunne ke baad unki oor dekha to wo mujhe jaane ke liye kah rahi thi...



Ab ye sab bahut ajeeb ho raha tha Mater mujhe iss anjaan se jagah pe ek anjaan ke saath shoping pe jaane ko bol rahi hai....par main kya bolta main bhi chal diya unke saath..



Poonam - Hmm to bacchu pahle khana kaoge yaa...shoping kare...



Khane se yaad aaya main nahaya bhi nahi hu....aur aise hi ghum raha hu....



Pata nahi usko kya hua...sayad ye dimmag padhti ho....isne mujhe mera room bataya aur bola thodi der mein chalenge...pahle lunch fir shoping jao ab....



Main bhi chup chap chala aaya apne room mein par....ye bhi bilkul waisa hi tha jaise room mein main kab se rahta aaya hu...deewar pe wahi paintings drawings....pata nahi kya hai ye sab...ye dekh hi raha tha ki eek kagaz dikha...



Maine usko uthaya...aur padhne laga...ye Master ne likha tha...



Master - Saare samaan tumhare room ke bilkul ussi tarah hai...



Maine kagaz padha aur fir usko side mein rakh diya...bathroom mein gaya aur waha taiyar hua...thodi der mein jab bahar aaya...tabhi kisi ne darwaje pe knock kiya...



Maine darwaja khola to ye wahi thi Poonam ji....



Poonam - Haa chalo ab jaldi se...lunch bhi karna hai...



Main bada uncomfortable mehsoos kar raha tha iske saath...yaar jaan pehchan hoti to baat alag thi aise mein mazza nahi aa raha tha naa..



Main bolna chahta tha par ab mastter ne kaha tha to chal diya main bhi waise bhi samaan to kharidne hi the...to issi ke saath...sahi...



Hum dono uss castle se nikle...fir ek room mein gaye...mere ko samajh nahi aaya room mein kyun...ye room unhi char castle se thoda sa side mein banaya hua tha...ek chota sa kamra hi tha bas...usme gaya to aankhen fatti ki fatti rah gayi..dekhne mein ye chota sa kamra hai par ander...ander koi bahut bada bazar hai....



Poonam- ye sab kuch bbhi nahi hai abhi to bahut kuch dekhna hai bacchu...



Main - Mera naaam Prateek hai...



Poonam - Haa pata hai mujhe...



Main - To Mujhe wahi bulaiyega...ye bacchu sahi nahi lagta mujhe...



Ye sunke pata nahi kya hua unko wo wahi pe mere galle lag gayi...Matlab haad hai yaar Market hai yaha to,,,,



Main - Arre aap baar baar aise kyun gale lag jaati ho...



Poonam ko jab maine khud se alag kiya to unki aankhon mein paani tha...Mujhe laga maine kuch galat kah diya..



Main - Sorry agar kuch galat kah diya ho to..par aap...



Poonam - Nahi kuch galat nahi kaha tumne chalo ab shoping karte hai...



Ye bolte hue wo muskura rahi thi yaar samajh nahi aa raha tha ho kya raha hai...



Humne shoping ki sorry usne shoping ki aur bahut si chize li usne....kapde kitaben aur bhi bahut se chizze jo sayad hi maine kabhi dekhi thi....ek talwar bhi liya usne....



Shaam beet gayi ye sab karne mein...Lunch to bahar hi kiya tha ab dinner bhi bahar hi kiya humne...Jab bahar aane ke liye hum jaa rahe the to usne saman ko ek box jaisa kuch tha usme fenk diya...aur main dekhta rah gaya..



Main - Arre itni der mein ye saman kharida aur fenk diya aapne...



Poonam (haste hue) - Fenka nahi hai tumhare room mein pahuchaya hai....chalo ab jao tum room mein aur sab kuch dekh lena...Main chalti hu apne room mein...



Main - Hmm thik hai...



Main jaane laga ki wo mujhe rok ke hgalo pe ek kiss ki jaise baccho ko karte hai aur chali gayi... :yuck:



Main apne gaal saaf karte hue waha se apne room mein gaya to waha pe Master thi...



Main - Master aap....



Master - Haa kuch baatein hai jo sayad ab tumhe pata hona chahiye....



Main - Ji master bataiye...



Master- Wo jo ladki...jiske saath tum ghum rahe the wo tumhari badi bua hai...tumhare dad ki bahen...



Main- Kya...



Master - Hmm wo tumhari relative hai..par...



Main - par aapne to kaha tha....



Master- wo sahi waqt nahi tha tumhe batane ka naa hi ab hai par usko dekh ke aur uski baatein sun mujhe lagta hai tumhe uske baare mein saab pata hona chahiye...



Main kuch nahi bola...itni badi baat chuppi rahi mujhse....aaj tak bas yahi kaha tha ki mere Mom dad ka koi nahi tha..unhone mujhe Master ko marte waqt saunp diya tha...aur aaj ajj wahi Master jinko main ab apna sab kuch maane laga tha wo kah rahi hai meri ek Bua bhi hai...Dukh to hoga hi...



Master- Hmm pata hai bahut se sawal hai...apne shopping mein dekho...usne pakka tumhare Dad ki dairy jo wo likhja karta tha yaha rakhi hogi...main ye sab iss liye batane aayi hu kyunki main nahi chahti tum abhi usko padho...



Ab chup kaise rahta main...mujhe meri bua ne mere Dad ki Dairy di hai aur Master bol rahi hai main usko naa padhu...



Main- Kyun Master kyun nahi chahti aap ki main wo dairy padhu....



Master- Kya kahu iss baare mein bas itna hi kahungi...tumhare Mom dad ne Mujhe kyun chunna tumharidekh rekh ke liye...tumhare Parivaar walo ko kyun nahi kaha.....socho iske baare mein....ab agar fir bhi meri baat nahi maani to padh lo wo dairy...



Itna bol wo waha se chali gayi...Mujhe iss majdhar mein chod ke...ab samajh mein hi nahi aa raha tha ki ya karu...itna kuch ek saath sambhal pana sayad mumkin nahi tha mere liye..



Main sochne laga Master ki kahi hui baaton ko ki kuyun Mom dad mujhe unke pass chod gaye....kuch der socha fir laga mujhe Master ki baat maan leni chahiye aur dairy maine alag rakhne ke liye usko dhundhne laga....ajeeb tha yaha dairy abhi milla bhi nahi aur ye sab......bahut ajeeeb din hai ye...



Kuch der jab wo saman dekha to Koi dairy milli hi nahi...Matllab sahi majak chal raha hai yaha pe mere saath...par ab Master ne jab kaha ki Poonam meri bua hai to hai bas...ab unhone kaha aur saath hi Poonam ji ka bhi bartaaw waisa hi tha jaise main wo mujhe jaanti ho...to isko manna jaa sakta tha...aur maine maan bhi liyaa....



Ab saman jo bhi aaya tha unn sab ko main acche se rakhne laga jab main ye kar raha tha to ek kagaj mujhe ussi talwar ke handle mein milli jo mujhe Poonam bua ne kharid ke diya tha...Maine uss kaagaz ko khola aur dekha....



Ye ek chitthi thi....



Chitthi -:



Tumse milna ek sapna saa lag raha hai mujhe maine kabhi nahi socha tha ki main tumko wapas se dekh paungi...Ab tak to Madam ne bata hi diya hoga main Bua hu tumhari....unko kabhi yakkin nahi tha mujhe naa hi hamare baaki ke pariwar walo pe ki hum tumhari raksha kar sakenge...aur wo sahi bhi thi...tabhi to tum unke saath the...Tumhare Mom dad ki maut ek bahut bada jhatka tha hamare liye...halaki hum alag rahte the...kyunki tumhare Mom dad kuch galat aur burre kaamo mein lag gaye the...par fir jab dono ne shadi ki aur tum paida hue to sab badal gaya...wo apna past bhulana chahte the...wo humse milne aaye the...par humme yakkin nahi kiya....aur ye gallti thi hamari...wo dono badal gaye the puri tarah se...fir...ek din humne unse milne ka tay kiya....unhe apne yaha laane ka ytay kiya...sab saath mein rahne wale the ki...jab hum ghar se nikle...tabhi koi aaya humare paas...unke saath tum the...usne humme waha naa jaane ko kaha aur hum aage naa badh paaye iske liye koi jaadu kar diya....aur fir tumhe leke wahase gayab ho gaya wo...kuch bhi samajhna muskil tha uss waqt ki bas...kuch hi der mein hum sabhi ke saamne....tumhare Mom dad ki aatmaye aayi....iska matlab wo dono jaaa chuke the...unhone humme apne baare mein bataya aur tumhare baare mein bataya...kuch aisi baatein jo mera tumhe batana sahi nahi hoga...ye adhikar sirf aur sirf Madam ka hi hai...wo sab batane ke baad wo chali gayi aur humpe se wo jaadu bhi khatam ho gaya....par ab kuch bhi kar pana mumkin nahi tha...Hum gaye tumhare ghar pe dekhne par waha milli kya to bas bodies dono ki...humne waha pe sab kuch dekha par aure kuch bhi nahi milla.......Tumhe lag raha hoga ki maine kaise pahechan liya tumhe....to iska jawab hai ki mujhe Paarth aur Neelam ne bataya....wahi pe jaha se sab shuru hua tha....Castle M ka wo taikhana...Main uss jagah pe ek din kisi tarah pahuch gayi aur fir mujhe waha pe aur fir mujhe tum dikhne lage...tumhara bachpan...sab kuch....sab kuch dekh paa rahi thi main....tumhara school jana wo sab....jab ye sab khatam hua naa tab mujhe waha pe kuch roshani ke gole dikhe mujhe pakka pata hai wo tumhare Mom dad ne hi bheje honge...Fir wo saare waha se gayab ho gaye aur main bhi uss jagah se nikal aayi...fir main tumhe dhundhne lagi yaha waha aur issi wajah se yaha school mein aana nahi hua mera....



Bas itna hi likha tha....



Maine uss chitthi ko ek side mein rakh diya aur bed pe let ke sochne laga par....kuc hi der mein so gaya....haa ye ajeeb hai naa par ye aksar hota hai jab bhi main room mein aata hu...har baar ye sab hota hai....sayad wo drawing wo painyting...unki wajah se....ya kuch aur....





Neend meri agle din khulti hai....



Chaliye ab agle update mein dekhenge.....



Next update....new class new friends and new problems....
मस्त अपडेट भाई
 
Member
104
46
30
UPDATE - 14

Ab tak...

Prateek ko kuch pata chala tha unn shields ke baare mein....saath mein wo eagle....wo uske pass aaya tha par abhi tak uska kuch samajh nahi aa raha tha...raat ke waqt Prateek Poonam ke saath apne Dada dadi ke pass jaane ko maan jaata hai...Wahi yaha se bahut dur Slayer Dark world ke andheri gufayon mein baitha meditate kar raha tha....

Ab aage....

Chaliye Dark world mein chalte hai....Haa wahi jaha Slayer rahta hai.....

Yaha ki andheri guffaon mein se kisi ek guffa mein jaha pe Slayer tha...meditate kar raha tha waha pe.....aawajein ho rahi thi....khushphusane ki aawajein.....jaise log baatein kar rahe ho.....bilkul dhire dhire....par ye aawajein marre hue laogoo ki thi....yaani aatmaon ki jo Slayer ke ander the....aur ab unhe bhookh lagi thi.....matlab koi naya aatma chahiye tha unhe....

ye aawajhein bahut hi dhimme dimme badhne lagi.......tez....aur tez....fir ek dum se shant.....sab shant ho gaya...kyunki kisi ke pairon ki aawaj aane lagi thi....kisi ke chalne ki aawaj....ab ye kadmo ki awaj tez hone lagi....aur Slayer wale guffa ke saamne chali gayi....

Ek ek aankh wala insan jaisa dikhne wala hi koi jeev tha ye....sharir ka aakar bahhut bada tha....hathon mein uske ek talwar thi....

Usne apne ek aankh se Slayer ki oor dekha wo abhi tak apni aankhen band kiye hue tha...uss ek aankh waale ne jab ye dekha to uske saans mein saans aayi....aur fir wo ander gaya...apne haath me pade hue talwar kko ek baar dekha....fir apni aankhen band kari aur sayad kisi ko yaad kar raha ho wo....tabhi uske ek aankh se aansu ke bunde bahne lagi....fir usne tralwar ko apne pet mein gussa diya...par koi aawaj nahi ki usne....fir ussi talwar ko apne hi haanthon se ghumaa diya ussi tarah....aur fir uski pakad uske talwar se chutne lagi....aur dekhte hi dekhte wo....nicche jammin pe gir gaya......uska girna tha...ki uske sharir se ek roshani nikli ar wo sidhi Slayer ke ander chali gayi....aur wo body jo uss ek aankh wale jeev ki thi wo waha se gayab ho gayi saath mein wo talwar bhi....Slayer waise hi meditation mein baitha raha....

Chaliye dekhte hai wo lash kaha gayi....

Iss guffa se bahut dur ek basti thi....jaha ussi ek aankh wale jaise log raha karte the....aaj ussi basti walo ki baari thi ki unme se koi ek jaaye aur apni aatma ko saunp de Slayer ko.....

Dark world ke saare log aise hi bastiyan mein rahte the...aur sabhi basti ka ek head hota tha.....pahle ke halat kuch thik the abhi se....par iss Slauyer ke aane se hi tabahi mach gayi thi....naa jaane kitne hii logo ko usne ek hi din mein khatam kar diya tha....Wo to kuch aise log aa gaye the waha jinhone usse ladayi ladi aur lagbhag se usko hara diya tha.....aur wo Slayer waha se gayab ho gaya aur chup gaya kahi pe.....

AB isko kisi jwalamukhi ke fatne se pahle wala...bhukamp kaha jaa sakta hai.....jisse tabahi hui thi par utni nahi.....

Slayer Yaha iss Dark world mein hi kyun aaya tha iske piccche bhi ek wajah thi....wajah thi uski Maa....Sofia ne Slayer se kaafi baar iss jagah ka jikr kiya tha....bataya tha usko yaha ke baare mein yaha ke logo ke baare mein.....sayad yahi wajah thi ki Slayer ne yaha hi aane ka chunna...ek aur bhi wajah thi uski bhookh....

Slayer jo pit ke waha se bhaga tha wo bhagte bhagte ek khandahar mein pahucha....jaha usko kuch log dikhayi diye.....kuch jaane pahchane se log.....jinko usne sayad pahle dekha nahi tha kabhi par unke chahre kuch kuch pahchane hue lag rahe te......jab Slayer ne dhyaan diya to waha ki ek ladki ka chahera....bilkul uski Maa Sofia ki hi tarah dikhta ttha....Slayer ye dekh ke jhatka khaa gaya......

Wo unke paas jaane laga chip chip kar....aur jab unki oor dhyaan se dekhne llaga tab usko pata chala inn sab ki halat bahut kharab hai......Wo unn logo ko dekh hi raha tha ki poicche se kisi ne usko chua....jab Slayer picche mudda to waha wahi logo mein se ek tha jisse maar kha ke wo bhaga tha.....uss aadmi ne ek baar aas pass dekha jab koi nahi dikha to....

Wo aadmi Slayer ko apne saath le gaya....wahi pass mein ek chota sa ghar jaisa banna tha...Slayer ko wahi le gaya wo....

Waha pe ussi ne uski malham pati ki.....ab inn sab se sawal uthna to laazmi hai....

Slayer ne puch hi liya unse unke baare mein.....aur aisa jawab milla jiski ummid bhi nahi thi Slayer ko.....

Jawab aaya waha pe ek buddi se.....buddi dikhne mein bahut hi ajeeb thi.....usne ek pal ko bas ek pal ko hi to Slayer ko dekha aur usko pahchan gayi.....usne Slayer se Sofia ke baare mein puccha par....Slayer ne kuch nahi bataya.....aur jab usne nahi bataya to uss budiya ne apni kahani shurur kar di....

Budiya - Yahi issi jagah paida hui thi wo Sofia.....meri hi bahen thi wo.....apni sagii bahen......hamari Maa ek chudail thi....aur Pita devtaon mein se ek....par shakti nahi thi unme koi......saari shaktiyan jaa chukki thi....kuch bhi nahi tha unke pass....unki shadi....ko yaha ke logo ne manyata nahi di....dete bhi kaise....koi devta ki shadi kabhi kisi dayan se ho ye mumkin hi nahi tha yaha ke logo ke hissab se....Pita ji jo ki yaha apne purvajo mein se akele bacche the unko bandhi bana liya gaya....yaha ke kabilon ke sardaro ki taraf se.....

Maa jo pet se thi unko aise hi issi jungle mein chod diya gaya.....hum dono ko janam dene mein hi Maa ki maut ho gayi....jab sardaron ko ye pata chala to unhone humara dhyaan rakhne ke liye Papa ko bahar nikal diya....par Papa...unko kuch ho gaya tha ab....wo bas kisi tarah se badla llena chahte the iss pure planet se...par shakti thi nahi...tha to bas ladne ka tarika.....unhone humme wo tarika shikhaya...ek din unke techniques ka pata chal gaya yaha ke Vampire kabile walo ko....unhone Papa ko kharid liya...auur tab se hum gulam hai unke.....jo wo kahte hai hum wahi karte hai....jisko maarne bolo usko maar dete hai...humme apne liye 2waqt ka khana mil jaata hai....ye jisne tumhe maara wo bhai hai tumhara,....

Sofia yaha se bhag gayi thi..jab wo badi hui.....par uske dimmag mein bhi bas badle ki hi baatein ghumti rahti thi.....uska kuch bhi pata nahi tha humme...ek din uski kuch khabar milli thi par fir se gayab ho gayi.....

Slayer sab dhyaan se sun raha tha......wo ye jaan chuka tha ki yahi jagah hai jaha uski Maa ka janam hua tha....aur bhi apne Maaa aur uske parivar ke baare mein sab jaan chuka tha wo....unn logo ne Slayer ko rahne ke liye jagah diya....par khane ko kuch naa de sake kya hi dete kuch hota tab naa.....

Slayer ko waha pe ek kitab milli....ye wahi kitab thi The unknown worriors ki koi copy thi.....wo uss Budiya ke pass thi....uss kitab pe bahut kuch likha tha...puchne ppe pata chala wo kitab uss budhiya ki pita ki aakhiri nishani thi....Slayer wo kitab le liya....aur uss kitab mein likhi hui chizzo se....aur banne hue nakse ko dekhene laga samajhne ki koshish karne laga......

jyada waqt nahi laga samajhne mein....pahle se hi uske pass....uss planet ka ek naksha tha bas ussi ko aur uss kitab mein banne nakse ko dekhte hue usko kuch milla...unhi andheri pahadiyon mein....aur wo chal pada unn pahadiyon ki oor......Kuch din beet gaye the usko....aatma naa mille hue.....koi aur rasta nahi dikha to usne unhi logo ko jala dia....har ek ko...aur unhi aatma ko apne ander khinch liya....aur chal diya pahad ki oor.....

Pahad ke pass pahucha to waha pe bahut hi ghana jungle tha....aur Slayer ko jana tha unhi jungle ke biccho bich banne hue ek guffa mein....

Guffa mein uss kitab mein likhi gayi chizon ke anusar kuch aisa chippa hua tha jo bahut hi kimti tha......

Slayer badhta gaya badhta gaya aur thode bahut jangli jaanvaron ko maarte hue wo pahuch gaya waha se uss guffa mein...aur guffa mein jaate hi shuru kiya usne apna kaam.....

Kitab mein likha tha....guiffa ke darwaje ke theek nicche hai wo cheez.....jab Slayer ne ye shuru kiya aur uss chiz tak pahucha...to waha pe bas ek kankaal tha....haa ek kankaal pata nahi kiska....Slayer ne usko chua...aur uske ek haath pe...ek lomdi ka nishan ban gaya.....ab ye nishan kya tha kyun tha pata nahi.....tha Slayer ko.....

Jab wo nishan bana Slayer ke haath pe ro ek pal ke liye to khalbali hi mach gayi thi uske sharir mein....uske ander jjo bhi aatmayen the wo cheekhne lagi thi....aur dekhte hi dekhte....Slayer jammen pe tha...

Jab ye hua to kuch log....waha uss jungle mein jaldi se pahuche.....une se ek ke haath pe ek saanpm ka nishan tha.....usne ek baar Slayer ko dekha.....fir picche hat gaya.....aur jhuk gaya uske saamne.....

Slayer jo jameen pe lete hue tha....chilla raha tha usko ye sab dikh bhi nahi raha tha,.....wo to bas apne hi dard mein tha......

Wo log Slayer ko utha ke le gaye uss jagah se....

Slayer....2 din waha p waise hi behosh raha aur jab uttha to bhookh se pagal hua tha wo.....usne aas pass dekha ek aurat baithi thi....usne uske gardan mein kaat liya...aur wo aaurat wahi pe mar gayi...aur uski aatma Slayer ke ander chali gayi......Jab slayer ne aas pass aur dekhha to usko bas ek khali jhopdi hi dikhayi di....jisme sayad ek wo aurat aur ek slayer hi tha aur koi nahi....Slayer uss jhopdi se bahar nikla aur yaha waha dekha to usko apni ek aadmi milla jo aankhen band kiye hue ek pather pe baitha tha....Jab slayer ne uski sakal dekhi to wo aur chauk gaya....ye wahi tha...bilkul ussi ki tarah dikh raha tha wo jo hamesha aata tha Slayer....part aur Neelam ko maarne ke liye...jab wo school mein the....ye wahi tha jo har baar bach ke nikal jaata tha....

Slayer uske saamne jaa baitha aur usko dekhne laga....

Aadmi - Malik....to aapko hosh aa hi gaya......

Slayer chup raha aur usko dekhta raha....

Admi - Malik aapki Maa ne mujhe ye aadesh diya tha ki aapko aur aapke shathiyon ko main practice karata rahu....bas yahi wajah tha mere aapke pass aane ka....ab aap uss kabil ho gaye hai ki mujhe ab yaha se mukht karenge....ye shakti....ye jo mujhe taufe mein milli thi iskop wapas lele malik aur mujhe marne de....main jaanta hu meri biwiw ko maar diya hai aapne....

Slayer kuch nahi bol raha tha bas sun raha tha.....

uss aadmi ne apnae pith pe lage hue uske talwar ko nikala aur khud ka gala kaat diya....Slayer ne uski body ko chua aur uske dusre haath pe ban gayi..wo saanp ki nishani....saath hi uski aatma bhi ussi ke ander chali gayi....

Ab baari thi jwalamukhi ke fatne ki....Sab log abhi Dark world mein aaram se the....par ab waqt badalne wala tha....Slayer ne wapas se logo ko maaran shuru kar diya...aur iss had tak marra ki sabhi sardaron ko uske pass aana pada aur uske saamne ghutne daalne pade....wo sab usse har maan gaye aur uski gulami ko kabul kiya....

Slayer ki bas ek hi shart thi....usko aur kuch nahi chahiye tha wo bas ussi guffa mein rahne ko taiyaar tha saath hi kisi ko bhi naa marne ki baat bhi kahi usne par....uske liye roj ek aatma uske pass pohuch jana chahiye,,,,Jis din aatma nahi pahuchi wo bahar nikal aayega aur wo din bura hoga.....

itna bol Slayer wapas se guffa mein chala gaya.....aur Slayer ne baaki sab chod diya yaha ke logo pe...

Guffa mein Slayer apne naye powers pe dhyaan lagata unpe kaabu paane ki koshish kiya karta....aur saath hi waise hi aur powers dhundhta...roj koi mnaa koi aata aur khud ka aatma usko de deta....khud ko maar ke....

Chaliye Sofia ka dekh liya ab Viraj ka bhi dekh lete hai....to Viraj ki bhi kuch aisi hi kahani hai wo bhi unhi 10 parivaron mein se ek parivar ka tha....jinko Titan planet se nikala gaya tha....uske purvaj Orion planet pe aa gaye the...Sofia ka ussi ko apne pyaar mein faansna koi sanjog nahi tha ye sab Sofia ka socha samjha plan tha...par...kismat dekho...Viraj waha se bhagne mein kaamiyab ho gaya tha...

Chalo ye sab chodo...ab chalte hai Earth pe wapas...

Haa to Prateek yaani main subah utha aur chal diya taiyaar hoke dhyaan lagane....aaj kuch ajeeb nahi hua....sab normal hi tha...wahi fir 8 baje ke aas pass main utha aur jab utha to Bua wahi pe khadi thi....wo mere jaagne ka hi intezar kar rahi thi bas....

Bua - Chal jaldi kar bus aati hi hogi....

Main - Arre haa main chan....

Bua - wo sab waha ho jaayega....tu chup chap chal...wo mujhe lagbhag khinchte hue le gayi gate ke pass...aur turant hi wo Bus aayi....main aur Bua usme chad gaye....

Bua - Hmm tu room mein jaa fresh hoja main yaha dekhti hu....

Main - Room...par mujh....

Abhi pura bola bhi nahi tha ki koi aaya aur mera haath pakda usne aur Main ek room mein tha....room mein mere liye 1 naya kapde ka set rakha hua tha...main bhi iss baar wait naa karke jaldi se change kiya...aur abhi change kar ke ready hi hua tha ki ek jhatka laga aur fir darwaja khula...

Bua - Kya kitna late karega chal jadi...aaj sab bahut khush honge tujhe dekh ke waha pe....

Unhone mera haath pakda aur agle hi pal hum dono road pe the....bada hi alag jagah tha ye....ass pass bas ped hi dikh rahe the.....aur theek hamare saamne tha ek bada sa ghar....

Bua - Ye hai hamara ghar...

Aaj ke liye itna hi chota update hai....

Kal aur parso 2 din ek- ek update aayenge...raat mein
शानदार अपडेट भाई
 
Member
104
46
30
[QUOTE="Harsh002, post: 21022, member: 35"] [SIZE=22px]UPDATE - 18 AB tak Nana - Nani wapas aa gaye the...main bhi waha se ab school aa chuka tha aur fir school se sham ke waqt market gaya aur waha se wo anguthi....wo cheel wali anguti wo bhi le aaya tha....aur fir apne room mein chala gaya ek baar Bua se milne ke bbaad......uhone kaha tha jab bhi Pankaj se panga ho to tu punches uske aankhon ke nicche jarur maaru... Ab aage Main bed par leta aur neend aa gayi thi... Subah hui main jaga...aur apne room se bahar gaya ready hoke meditate karne ko....par jaise hi maine apne room ka darwaja khola main buri tarah se chaunk gaya......main bilkul kisi jwalamukhi ke upar khada tha uske muh ke pass....uske ander lava tha....uss lava ki garmi ko main mehsoos kar paa raha tha....jaldi se main apne room mein aane ke liye hua....to room hi gayab....abhi main hawa mein uss Lava ke upar khada hua tha.....room mera gayab ho chuka tha......aur fir acchanak se main girne laga....fatt ke char ho gayi meri....Main chilane laga...aur tabhi kisi ne mujhe pakad liya aur udte hue kahi aur le jaane laga.....ye wahi tha...wo cheel...aagg wale pankhon wala...wo mujhe apne saath kahi aur le jaane laga.....main uske panjo mein tha....wo tezi se udd raha tha...maine apni aankhen band kar li thi......aur aankhen tab kholi jab wo kahi nicche utarne laga....maine dekha wo mujhe sayad apne ghosle mein le jaa raha tha.....jo ussi jwalamukhi ke theek upar tha.... Usne mujhe waha pe rakh diya...apne ghosle mein aur fir khud waha se udd ke chala gaya.... Maine aas pass dekha to kuch kankaal pade hue the waha pe...aur ek tutta hua anda...jiska size mere jitna hi hoga....main badha uske oor....ki tabhi mere picche se kisi panchi ke chillane ki aawaj aayi aur main dar gaya...fir waha dekha to waha wahi cheel jo mujhe leke aaya tha wo hi baitha hua tha....par iss baar iska size chota lag raha tha.... Maine usko dekha usne mujheko dekha main uski oor badha...wo hilla bhi nahi waise hi nnbaitha raha .....main thoda aur aage gaya aur apna haath uski oor badhaya...to mujhe dikha ki mere hjaath mein wo kal wali anguthi hai....maine usko pehen rakha tha....par kaise maine to usko pehna bhi nahi fir ye kaise hua.....abhi main wo hi dekh raha tha ki uss cheel ne uss anguthi pe apne chonch se marra...aur wo anguthi chamakne lagi......bahut jyada chamakne lagi......fir jo eagle usme bana hua tha.....jiske pankh ek taraf hue hue the wo alag alag hue....aur uss anguthi se......ek chota sa herra jaisa kuch nikla......aur wo hirra jaake uss Cheel ke sar pe lag gaya.....jiski wajah se wo bahut chillane laga....sayad dard ho raha ho usko......haa dard hi hoga....wo bahut jyada chilla raha tha....main kuch kar bhi nahi paa raha tha.....abhi main usko dekh raha tha ki waha pe aur bhi cheel aane lage jo ki usse bahut bade bade the.....aur ye saare ke saare ek hi jaise to dikhte the to pata karna bhi muskil tha ki kon kon hai.... unn sab ne uss chote se cheel ko gher liya....bilkul hi dhak liya....main to dekh bhi nahi paa raha tha usko....pata nahi kya kar rahe the ye....main thoda picche hua aur mera...pair wahi pade ek kankal mein fassa aur main nicche girne laga....ussi lava mein aur wapas se chillane laga......aankhen khud band ho gayi thi.........ki tabhi kisi ne mujhe pakda......ye wahi cheel tha jiske sar pe wo herra laga hua tha....matlab jisko sabne ghe ke rakha tha wahi......usne mujhe pakda aur fir mujhe leke...chal diya...wapas upar... iss baar bhi wahi uss jagah rakh diya....wo ghosla....waha pahuch ke dekha to sab ke sab wahi the...aur jhukke hue the mere saamne....sayad... Mujhe kuch samajh nahi aaya.....main abhi unhe dekh raha tha ki wo cheel jisne mujhe abhi bachaya wo aage aaya aur wo bhi mere saamne jhuk gaya.... Main (Maan mein) - Bachaya isne hai mujhe to mujhe aur fir bhi jhukka hua hai....ye chal kya raha hai..... "aapne mujhe iss kaabil samjha...maine kabhi nahi socha tha ki main iss samuh ka Raja banunga aur aapka pradhansewak...." Main yaha waha dekhne laga ye kon bola.....aur jab conmform ho gaya ki ye koi aur nahi ye cheel hi hai to dimmag hill gaya mera.....ye bol kaise raha hai... Main - tum bol sakte hho par,..kaise... Wo - Aapne hi to mujhe bolne ki shakti di....shukriya aapka.... meri kuch samajh mein nahi aa raha tha....wahi wo mudda aur wahi pe ek cheel ke pass gaya aur...uske chonch mein apne chonch se chuwa.....aur uss cheel ke aankhon se aashu girne lage...wahi iss cheel ke saath bhi hua...sayad dono ek dusre ko jaante ho.....fir kuch der baad dono hi mere pass aaye.... H.Cheel(herre wala) - Ye meri Maa hai.....inhone hi aapko bachaya tha....aur aapko yaha mere pass layi thi......ye iss kabile ki rakshak hai... Main kya bolta....yaar samajh hi nahi aa raha ek to itne bade bade cheel sab ke bich mein hu aur unme se ek baat kar raha hai aur baaki saare nahi....aur ab wahi mujhe apni Maa se milla raha hai jisne mujhe bachaya tha..... Main - Ji sukriya aapne mujhe bachaya...aur sayad aap wahi hai naa jo uss din mujhe aur Rupal didi ko bachane aayi thi....uss aadmi se Meri iss baat ko sun ke wo herre wale cheel ko dekhne lagi aur sayad kuch kaha bhi usse.... H.Cheel - Nahi Maa kah rahi hai wo Maa nahi thi wo issi kabile ka koi aur tha jisko Maa ne bheja tha uss din...Maa ne bas aaj bachaya hai aapko...aur uss din aapke haath se aag liya tha... Main - Matlab uss din waha koi aaya tha aur wo ye thi.... Fir wahi hua usne apne bete ko dekha fir bete ne mujhe jawab diya.... H.cheel - Nahi wo Maa nahi ti wo mere pita the....jo ab nahi rahe....apke ander badhi hui uss energy ko absorb karne mein wo chal basse....unke jaane ke baad hi Maa ko iss kabile ki rakshak banaya gaya... Main ye sun ke shocked rah gaya ki iska pita meri wajah se maara gaya....wo mere liye aaya tha waha... Main - Mujhe maaf kar do mujhe pata nahi tha ye.... H.cheel - Maafi mat maangiye ye unka kaam tha aur unhone puri nista se isko pura kiya hai.....aur ab meri baari hai....ab main aapke saath hi rahunga hamesha...jab bhi aapke upar koi khatra ho usko mujhse hoke jaana hoga.... Main - Nahi tum yahi rahoge...apni Maa ke pass......jab bhi mujhe jarurat padegi main bula lunga tumhe....tum yahi raho....apne kabile ka dhyaan rakho aur apni Maa ka bhi... Main kaise usko leke jaata apne saathkitne hi din hue naa uske pita ko marre hue aur ab usko bhi apni Maa se dur karna ye mujhse nahi hoga...maine usko manna kar diya.....mera usko manna karna tha aur meri aankhon ke saamne bahut tez roshani hui aur uski wajah se aakhen band karni padi mujhe....aur jab laga ki roshani khatam ho gayi hai ar maine aankhen kholi to main....main apne room mein tha apne bed pe....pata nahi yaha kaise aa gaya....main to abhi kahi aur tha....kya wo sab sapna tha.....maine apna haath dekha wo anguti abhi bhi mere haath mein thi....jiko maine pehna nahi tha....agar wo sapna tha jo main dekh raha tha to usme nbhi anguthi mere haath mein tha....aur ab bhi....samajh mein kuch nahi aaya....main charo oor dekhne laga to ek chiz dikha.....mere room ke diwaron pe...kuch chamak a raha tha....wo saare paterns aur drawings jo bhi banne hue the waha pe wo sab chamak rahe the....ye pahle to kabhi nahi dekha tha maine....main unhi sab ko dekhta raha....aur sochta raha wo sapna tha yaa kuch aur....jab tak Bua ki aawaj nahi aayi.....bua abhi waha pahuch gayi thi dhyaan llagane wale jagah pe...aur wahi se telepathy ke jariye mujhe bula rahi thi.... Bua - ya bachhu ek din din mein hi aadat kharab kar li....agar Madam ko pata chala to wo mujhe nahi le jaane degi tujhhe ghar pe....chal jaldi se aaja... Maine tab jaake ghadi dekha to waqt yahi kuch 5 ho raha tha...main jaldi se ready hua aur fir chal diya waha dhyaan pe baithne... Waha pahucha to Bua start kar chuki thi main bhi baith gaya wahi pe...aankhen band ki to wahi moti dikhayi diya jo uss cheel ke upar gaya tha....thoodi der mein wo cheel bhi dikhayi diya....aur main dar gaya.... Cheel - Malik aapne mera koi naam nahi diyta...kripya naam deke mujhe purnatah swikar kare.... Main - T kya wo sab sach tha jo bhi maine dekha.... Cheel - Haa malik utna hi sach jitna abhi aap dhyaan mein baithe ho aur main aapke nazron ke saamne hu....ab aap jaldi se mera naam rakh de.... Main - Min kya naam du tumhare Mata pita kya bulate hai tummhe... Cheel - Wo to bas beta kah ke bulate hai aap naam de de mujhe...main ussi naam se janna jaunga... Maine usko ek baar dhyaan se dekha..to uske pankh se wahi aag ki lapte nikal rahi thi aiur ye lapte bahut jyada thi....baaki sabhi se sayad uss herre ka asar ho....usko dekh bas ek hi naam samajh meinaaya aur wo tha Jwala..... Main - Tumhara naam Jwala hai....thik hai naa... Cheel - Ji maalik thik hai... Main - Maalik nahi main dost hu tumhara....mujhe Prateek kaha karo......ab jao aur jab main bulao to hi aana... Jwala - Ji jo aagya... Itna bola usne aur wo chala gaya...aur meri aankh bhi khul gayi....Bua ka bhi ho gaya tha Dhyaan lagaya hua.....waqt dekha to 8;30 ho rahe the....main bua ko bol ke jaldi se room mein gaya ready hua waha dinning hall jaane ke liye... Main room se nikalne laga to wo kitab dikhi wo unknown worrior wali to usko bhi le liya....main wo kitab padh li thi to ab DB ko wapas bhi dena tha...main room se nikla aur DB ke room ki oor gayawaha gaya aur darwaja knock kiya... DB ne darwaja khola.....wo abhi ready ho raha tha maine usko uska book diya...usne mujhe thoda wait karne ko bola taaki hum saath mein jaa sakke main bhi baith gaya wagha fir wo ready hua aur hum dono chal diye dinning hall mein.... Dinning haal mein pahuche to hum dono ek jagah baith gaye khana leke....maine ek baat notice ki bahut se log hamari oor dekh rahe the aur baatein kar rahe the.... Main - DB ye sab kya ho raha hai...humme aise kyun dekh rahe hai sub.... DB - Arre ye sab wo Pankaj ne humme dhamki di thi naa ussi ki wajah se hai....hum log yaha pe bahut famous ho gaye ghai.....wo dono gadhe nazar nahi aa rahe hai.... DB unhi dono ki baat kar raha tha jo Pankaj ke bando ki pitayi wale din hamare saath the...unse meri jyada baat cheet nahi hui hai naam bhi nahi pata hai mujhe abhi unka... DB ne ek baar charo taraf dekha wo dono kahi nahi dikhe...waqt ho gaya to hum saare pahuch gaye waha se class ke liye.... Prof. Suraj...ne aaj bhi pahle theory ki class li fir shuru hua Practicals ka.....Practicals ke waqt bhi humne dono ko dhundha par saale mille hi nahi.....humme laga dono ke dono kahi gaye honge.....DB ne bhi bataaya jki mere saath wo dono bhi gayab the...aaj classes ki tiiming kam kar di gayi thi pahle se kuch aur routine bhi badla hua tha....2 aur classes jo shuru hui thi pahli....magical medicines ki.....bole to jaduyi khade ki......jiska HOD Pankaj ke babuji the...wahi dusra classs tha animal spirit ka... Ye dono hi classes ab bua ke classs se pahle honi thi.....to hum saare bhi muh uthaye chal diye.....jaduyi kadhon ki class mein.....jaha aaj HOD ji bhi aaye the......generally aisa nahi hota tha......1st year aur 2nd year ke special batch walo ko sir ji ka chahera bhi dekhna naseeb nahi hota tha......unme to bas....assistant prof. hi aate the...aur ye haal special class batch ka tha...normal class mein ye janab bas....4th year bole to lkast year mein hi pahuchte the....usse pahle nahi...aur aaj ye 1st year ke special class mein aaye the... Sabka inmtroduction hua...sabne apne naam bataye apni breed batayi....aur isko leke professor sahab ne sabka mazak bhi banaya....wo sabko wahi apne half blood aur etc wale taane sunna rahe the....ye bata rahe the pure blood hi sabse kaabil hai..sab ye sunte rahe... Classs ke naam pe kuch nahi hua waha bas wahi sab.....aur fir sabko group mein baanta gaya mujhe aur DVB ko iss baar bhi sath rakha gaya... Iss class ke complete hote hi hum chal diye Spirit animal wale clas mein....ye ek naya subject tha....aur bahut hi intresting.....sabse ahem baat to ye hotti hai ki aap apne spirit animal ko kaise aur kitna jaante ho....fir uska aur aapka kaise sambandh hai....dost hai yaa banti nahi....agar nahi banti to kyun nahi banti....aur usko kaise use kiya jaaye khud ko takatwar banane mein.....generally sabbke ander hi spirit animal hota hai....par kisi mein jyada shaktishali to kisi mein kam shaktishali....kamzoor koi bhi nahi hota....aur unke shaktishali hone ka yaa sab kuch aapko hi dekhna hota hai... Prof. Naman yahi naam hai iss suject ke teacher ka.......ye Titan grah se aaye hai matlab devtaon mein se ek maane jaate hai...inke under mein 3 aur asistant prof. hai jo Orion aur strange world se hai..... Aaj hum sab ke spirits ko jana jaayega....to iske liye humme k jaaduyi sphare ke pass jaana hai aur uske upar apna haath rakhna hoga.... Aaj ke liye itna hi Next update mein....pankaj se ek aur mulakat....saath hi spirit animal ka pata lagayenge...[/SIZE] [/QUOTE] मजा आ गया भाई मस्त अपडेट भाई
 

Top