Fantasy Immortals

Main Samay hu...
1,767
1,439
143
UPDATE -12

AB tak.....

Kal raat ko kuch seniors aaye the....aur hamara unke saath panga ho gaya....wajah thi ki kuch stuudents unke bulane pe bhi talab ke kinare nahi gaye the...unme se main bhi ek tha......thodi ladayi hui jinme unki halat kharab ho gayi wahi kuch aisa bhi hua jo mere liye sawal khade kar raha tha....Baad mein Principal sir aaye aur unhone Pankaj aur uske ladko ko apne office mein aane ko kaha...fir sab room mein gaye aur so gaye....

Ab aage....

Subah hui...Main utha bilkul fresh....har baar ki tarah....Room mein kuch to hai....pata nahi kya jo mujhe hamesha sahi kar deta hai....

Abhi yahi koi 4 baje honge...main taiyaar hua aur nikal gaya meditate karne ko...wahi jaha 2 din se karta aa raha tha....Aaj bhi koi nahi tha waha pe....main baith gaya aur karne laga meditate.....par aaj kuch alag sa lag raha tha...matlab...body thodi halki lag rahi thi....

Aaj bhi jab aakhen khuli to bagal mein Bua thi aur dhyaan mein baithi thi...maine unki oor dekha aur fir apni jagah se utha.....jaise hi utha to koi kagaz ka tukda nicche jammin pe girra maine jab usko utha ke dekha...to pata chala ye Bua ne likha tha....

"Taiyaar hone ke baad sidhe mere office aana.....baat karni hai..."

Maine usko padha ek baar wapas mudke Bua ko dekha wo baithi hui thi dhyaan mein...main waha se fir nikal gaya room ke liye...room mein jaldi se taiyaar hua aur fir...nikal pada breakfast ke liye....waha pe mujhe aaj bhi...DB ne apne saath bithaya par....par wo kuch pareshan sa tha.....wo baar baar meri oor dekhta fir...jab main usko dekhta to wo yaha waha dekhne lagta aur khana khane lagta....mujhe samajh nahi aaya isko kya dikkat ho gayi ab....

Maine fir jyada dhyaan nahi diya khana khaya aur chal diya Bua ke office ki oor....waha pahucha to bua....koi kitab liye baithi thi....aur gaur se usko dekhe jaa rahi thi....

Main - Madam aapne bulaya tha....

Bua - Yaha koi nahi hai Bua bhi kah sakte ho.....chalo aao aur baitho yaha pe....

Main bhi jaake unke saamne chair pe baith gaya.....

Bua - Nasta kiya...

Main - Haa

Bua - Madam ne tumhe kya kya sikhaya hai....

Main - Master ne....hmm...bahut kuch jaise dhyaan lagana....khana pakana....figghting...

Bua - Fighting mein kya kya shikhaya hai....

Main - Fighting mein bas free hand fighting techniques sikhaya hai jaise main Jiu-jitsu, Karate, Boxing, aur kuch arts shikhaye the..

Bua - Nahi kuch aur bhi sikhaya hai jo tum bata nahi rahe....

Main - Main bhala kyun nahi bataunga....aap bhi naa bua...maine wo sab abataya jo mujhe aata hai.....aaj tak bas yahi sab sikhaya hai Master ne....aur fir meditation aur Yoga...aur aapko aisa kyun lag raha hai main jhoot bol raha hu....

Bua - Jhoot bol rahe ho aisa main nahi bol rahi Bacchu....main bas ye kah rahi hu sayad koi aisi bhi art Madam ne sikhaya hai jiska naam tumhe yaad naa ho...aur tum bata nahi paa rahe....

Main - Nahi Bua aisa nahi hoga...mujhe har ek art ka naam yaad hai...Master ne to mujhe unse related books bhi di thi taaki unko padh ke aur jyada knowledge gain kar sakku...

Bua- Hmm par kal jo tumne kiya usko dekhte hue koi bhi kahega ki tum bahut se aise fighting techniques jaante ho jo...sayad hi koi yaha tumhare umar ka jaanta hai....

Main - Kal jo bhi hua usme unn logo ki hi galti thi....wo Mom dad ke baare mein ulta sidha bolne lage aur fir mujhe...mujhe....

Bua - Haa gussa aaya aur tum sab ne unlogo ko maara...

Main - Haa Gussa to aaya hi tha par...kuch aur bhi hua tha....

Bua - Aur kya hua tha batao....

Main - Wo....jab mujhe gussa aaya to fir kuch hua aur unki najarein humse hatti aur phir humne unko maarna shuru kiya....par mujhe ye yaad nahi ki main maar raha tha yaaa nahi....main to..main kahi aur hi pahuch gaya tha mujhe kuch dikh bhi nahi raha tha....fir ekdum se ek eagle dikha aur meri aankhen band ho gayi....jab aakhen khuli to main pit raha tha unn tinno ko....

Bua meri baat bahut dhyaan se sun rahi thi....

Bua - Eagle dikha tha ???

Main - Hmm uske pankhon mein se aag ki lapte nikal rahi thi,....

Bua ne ek baar mujhe dekha....aur phir boli...

Bua - Jab tak master naa aaye tum sambhal ke rahoge...aise kisi bhi ladayi mein nahi fasoge....samjhe....aur haa ye jo bhi tumne bataya wo kisis aur ko mat batana....

Main - Hmm thik hai....

Bua - Jao apne class mein late naa o jaaye.....accha sunno ye eagle wali baat ye pahle bhi kabhi hua hai kya....

Main - Nahi kabhi nahi ye pahli baar tha....kya kuch galat hai....

Bua - Class mein jao aur meri baaton ka dhyaan rakhna agar kuch gadbad hui...to samajh lena....aur Haa Master to hai nahi aur main bhi Saturday yaani kal ghar jaa rahi hu....aur tum bhi chal rahe ho....

Main - Main par.....

Bua - Ispe baad mein baat karenge abhi jao jaldi se...late hue to soch lena...

Main jaldi se waha se wapas apne room mein gaya aur apni testing shield li aur chal diya...jaldi se Castle W mein waha pe apne class mein.....Waha time pe pahuch gaya mein...Class mein gaya aur theory ki class shuru hui...usme aaj kuch khaas weapons ki baatein batai gayi aur jyada kuch nahi...fir baari aayi practicles ki....aaj sab ready the sable pass apna apna shield tha...Maine jab shield nikala apna to ek baar to sab hasne lage...par...Professor Suraj ne sabko shant karaya....Aaj 2 - 2 ke group mein rahna tha....sab log apna apna group bana ke taiyaar the...bacche hue the Main aur DB....DB ke saath koi issliye nahi jaana chahta tha kyunki uska element sabse alag hai aur yaha kisi ko uske baare mein jyada samajh nahi thi abhi to...aur mere saath ulta tha....mere passs koi element thi hi nahi to kisi ko mere mein interest hi nahi tha....last mein main aur DB bacche to hum dono hi ban gaye....partners..

Kuch niyam batane ke baad Prof. Suraj ne unn hathiyaron ko ham sabke saamne rakh diya....par aaj bhi naa mujhe aur naa hi DB ko kuch karne ko milne wala tha....humme hi nahi baaki ke kisi ko bhi kuch nahi karne ko milla.....darasal hua ye ki 1 jode ne Prof. ke bataye hue niyam ko maana hi nahi aur galat tarike se uss Hathiyar ko uthane ki koshish karne lage aur dono hi ghayal ho gaye.....Prof. se class wahi pe khatam kar di ay humme jaane ko kah diya....aur khud unnn dono ko hawa mein udate hue le gaye...apneSchool ke medical department mein...wahi hum sab bahar chale gaye abhi Magic class mein time tha to main apne room mein jaane laga tabhi....DB ne mujhe roka...

DB - Prateek mujhe tumse kuch puchan hai....

Main - Hmm puccho...

DB ne aas pass ek baar dekha....waha waise tha to koi nahi par fir bhi bande ko pata nahi kya hua wo mujhe apne room mein leke gaya....uska bhi koi room partner nahi tha...wo bhi akele rahta tha mere jaise...usne mujhe chair pe bithaya...aur khud bed pe baith gaya...

Main - Kya baat hai yaha kyun laaye ho mujhe...baat waha bhi kar sakte the naa...

DB - Agar kar sakta to jaroor karta...accha chalo apne baare mein batao main jaana chahta hu tumhare baare mein tumhare family ke baare mein....

Main (Maan mein) - Ye isko kya hua....meri family ka kyun puch raha hai ye....aur main isko bataun bhi to kya bataun....khud hikuch pata nahi mujhe...

Main - Family ke baare mein ???

DB - Dekho main issi liye yaha leke aaya hu tumhe...taaki jaan ye baat sirf humtak hi rahe....kal jab tumhe ladte dekha to...to bilkul unhi logo ke jaisa tha.....

Main (maan mein) - Ye kiske baare mein baat kar raha hai,...Mom dad ke baare mein....kya ye jaanta hoga unhe....

Main - tum kiski baat kar rahe ho....

DB - main....

Abhiu wo kuch bolta usse pahle hi kisi be darwaja khatkhataya....wo utha aur darwaja khola...samne koi staff ka tha...wo usko Principal ke cabin mein bulane aaya tha....aur jab uski nazar mere upar padi to mujhe bhi chalne ko kaha....

DB ke puchne par bhi usne bas itna hi kaha ki usko nahi pata kis kaaran se bulaya jaa raha hai humme....wo bas bulane aaya hai....

Main aur DB dono uthe aur chal diye Principal ke office ki oor...par raaste mein hi humme ek ladka millaa...aur uske saath kal jo pitte the wo sab bhi the....

Maine dekha kal jo hamare saath 2 aur ladke the wo bhi aa rahe the humare picche....aur jo humme bulane aaya tha wo wahi se chala gaya picche mudd ke....matlab saaf tha Principal ne nahi inn logo ne humme bulaya tha....Jo bich mein khada tha wo Pankaj tha....aisa picche se aa rahe dono baat kar rahe the...

Pankaj - To tum log ho jinki wajah se....mujhe principal se sunna pada...

DB - Nahi hamari wajah se nahi apne inn chamcho ki wajah se...agar ye binna bawal kiye nikal lete to accha tha...

Pankaj - Elf prince...jyada akad hai tere mein....tu prince hoga...apne jagah pe....ye mera ilaka hai yaha bas mera raaj chalta hai...aaj bas muhdikhayi ke liye bulaya tha...tum charo ko....Waise jarurat to iski bhi nahi padti...par kal jo hua...uski wajah se bach gaye tum sab warna kal hi samjha deta...

DB - Kal wale wo pacho dikh nahi rahe hai.....abhi tak hospital mein hai kya....

Main - Paach nahi 6 ek aur tha jo mere darwaje ke pass pada hua tha wo bhi nahi dikh raha hai...

DB -Matlab tera score 4 tha...yaar tu to mere se double maara...

Pankaj - Haa udd lo....par yaad rahe....ab tum bas juniors nahi rahe mere...meri nazar hamesha rahegi tumpe.....

DB - Ye to acchi baat hai humpe dhyaan dene ke liye itne log hai.,...waise ek baat dhyaan rahe...aaukkat ke bahar maat jaana apne...warna kya hoga...wo nahi jaante tum...aur haa apne chelo ko samjha do ki baat kaise karte hai....

Abhi aur baatein hoti par tabhi wah Prof. Suraj aa gaye....

Suraj - Ladko kya baatein ho rahi hai....Pankaj...class hhai tunmhari aur tum yaha....

Pankaj - Classes to roj hoti hai...aaj inse milne ka dil kiya to milne aa gaya....

Suraj - Hmm to ab mill liye naa ab niikalo saare...

Sab apne apne jagah jaane lage...wo Pankaj jaate hue humme dekh ke muskura raha tha...

DB - doston jyada to nahi bol diya naa...

Main - Haa thoda sa.,...

2nd - Nahi yaar inko aise hi samajh aayega.....chalo ab class ka bhji waqt ho raha hai...

Hum charo chal diye,...class mein...

Magic class mein aaj Bua nahi aayi thi koi assistant Prof. aaya tha...usne bas theory karayi aur humme jaane ko kah diya....hum bhi aa gayue....Main wapas se room mein jaa ho raha tha ki DB ne mujhe fir apne room mein bulaya...ur ek kitab di....

Kitab ka naam tha The unknown worriors....

Main - Ye kya hai.....

DB - tum to bataoge nahi apne baare mein...par main sayad jaanta hu kuch...aur dost hu to madad bhi karunga....Ye kitab lo aur isme jo hai usko padho....jaha tak mujhe yaad hai iss Kitab ke ek character ne bhi bilkul waise hi ladayi ki thi jaisa tumne ki hai...

Maine kitab ko ulat palat ke dekha...to usme likha tha ye fiction hai.....

Main - Ye to sayad kisi ke dimmag ki upaj hai bas...

DB - Ye original kitab nahi hai dost...par usse bahuit milti julti hai...Library of Gods mein joki Titan planet pe hai...ek kitab hai....kitab nahi dairy hai...ek yodha ki...jisko sambhal ke rakha gaya hai...iss kitab ke auther ne wo kitab padhi aur fir uss kitab mein kuch kuch changes karke chapwa diya.....aur ye baccho ki kitab ban gayi....jab main chota tha to issi kiytab ki kahaniyon ko padha karta tha...Jab tumhe kal unn tinnno ko pitte hue dekha....to wo bilkul waisa hi tha jaisa iss kitab mein tha....pata nahi kyun par mujhe lagta hai tumhara koi connection hai usse...

Main - Majak to nahi kar rahe naa tum.....

DB - Nahi bilkul nahi....

Main - Hmm thik hai main padhta hu isko....chalo chalta hu.....

Main nikalne ko hua ki kittab mere haath se gir gaya jab usko uthaya to saamne ek page tha.....aur page pe....Ek eagle ki tasweer thi aur uske pankhon mein aag thi....maine kitab band ki aur usko leke room mein aa gaya....

Rooom mein aate hi main sochne laga wo wahi tha....wahi eagle jo maine dekha tha......par ye kitab....kya DB ki baat sahi ho sakti hai yaa bas ye ek ittefaq tha...pata nahi....Master bhi nahi thi yaha pe ki unse iske baare mein baat karu....Bua se baat kar sakta tha....par wo class mein bhi nahi aayi thi sayad bahar hgayi ho.....maine uss kitab ko side mein rakha aur wo moti kitab.,...Shields wali usko padhne laga....maine usko pahle shuru kiya tha to usko hi padh lena sahi laga miujhe waise bhi uss opic se related padhayi honi bhi thi class mein to agar mujhe pahle se pata ho to waha aasani hogi......

Thodi der Kitab padha maine wahi dictionary ke help se....fir khana khane ka waqt aa gaya aur main khana khane chala gaya....waha se aaya au wapas se kitab padhne laga...usme ek chiz mujhe bahut ajeeb lagi aur samajh mein nahi aayi....wo tha Shields pe sign bane hue shields....ye kuch hi the.,...aur ajeeb se dikhte the....ye kaha se aaye iska kuch pata nahi diya hua tha Kitab mein....maine usko note kiya....aur fir sone ki taiyaari karne laga...bahut thak gaya tha aaj ......

Bed pe gaya aur turant neend aa gayi....

Chalo aaj ka yahi tak rakhte hai next update mein.....Kuch naye shields ke baare mein jaanege...saath hi Prateek ke pass jo shield hai uske baare mein bhi aur Slayer bhi dikhega....saath mein...Prateek apne Dada dadi se milne jaayega yaa nahi ye bhi....

To banne rahiye
 
Main Samay hu...
1,767
1,439
143
UPDATE - 13

Ab tak

Maine uss kitab mein se kuch baatein note ki thi jo thi unn shield ke baare mein jinpe...wo symbols bane hue the....Fir raat kafi ho gayi thi to main so gaya....

Ab aage

Next day....

Main utha wahi 4 baje aur fir wahi taiyaar hoke dhyaan wali jagah ke liye nikal gaya.....waha pahucha to aaj Bua mere se pahle waha pe aayi hui thi...aur dhyaan mein baithi hui thi....maine bhi unko disturb nahi kiya aur khud baith gaya dhyaan mein....Dhyaan mein baithne ke baad aaj bhi kuch alag hua....mujhe aankhen dikhayi di....kisi panchi ki..... choti si aankhen thi....par darawani....unn aankhon mein mujhe khud ki hi ek tasweer dikhayi de rahi thi par.....jas haalat mein main dikhayi de raha tha wo...kuch alag hi tha....

Main khud hi dekh ke dar gaya...usko....Maine jab apni aankhen kholi....main Bua ke cabin mein tha,......Bua ne mera sar apne goad mein rakha hua tha aur wo ro rahi aur bole jaa rahi thi....

Bua - Kya hua...tum theek ho naa...tum guir kaise gaye....aur...

Aise hi bole jaa rahi thi wo....

Maine jab unko rote hue dekha to apne haathon se unke aashu saaf kiya....tab tak sayad hi unhe pata chala tha ki main jaag gaya hu....aaj Bua ko mere liye aise roote dekh pata nahi kyun acccha bhi lag raha tha mujhe....sayad issliye ki koi mil gaya mujhe jisko meri kadar hai...jo mujhse pyar karta hai.....Master thi to pahle par....wo sayad hi mere liye kabhi...royi ho....wo to mujhe bas apni ek jimmedari hi samajhti thi....aur samjhe bhi kyun naa main bhala tha hi kon unka....par aaj Bua ko dekh sach mein meri bhi aankhon se aashu nikalne lage the....

Bua - Tu tu thik hai naa kya hua tha tujhe...tu cheekha kyun tha...

Main - Pata nahi main bas dhyaan mein baitha tha aur fir.....

Bua - dhyaan mein baithe baithe thodi naa koi aise hi cheekhne lagta hai....kuch to hua tha...batao...

Main - Wo bas main dar gaya tha kuch dekh ke aur fir jab aankh khuli to main apni pyari Bua ke pass tha....

Bua - Dar gaye the....dhyaan mein baithe baithe....kaise....

Main - Wo jab main dhyaan mein baitha naa to bas...kisi panchi ki aankh dikhi aur uske aankhon mein main tha...aur khud ko dekh ke dar gaya aur....

Bua - Khud ko dekh ke daar gaye....kya bol rahe ho...aur panchi kaha se dikhne lage tumhe.,..ai.....ek minute...aisa pahle bhi hua hai kya...

Main - Haa wo uss din jab ladayi hui thi naa uss din bhi aisa hua tha....mujhe gussa aaya aur fir ek cheel dikhayi diya tha jiske pankhon mein aag laga hua tha....

Meri ye baat sunke Bua ke chahre ke rang badal gaye.....

Bua - Yahi rahna main abhi aati hu....

WO ye bol ke chali gayi....main jo ab baith chukka tha wo wahi pade hue...paani ko pinne ko paani lene ke liye uttha....glass mein panni liya...to wo bhaff pan gaya...evaporate ho gaya....maine apni haath ke oor dekha to haath mein aag laga hua tha....

Main - Aa...aaagg...ye kaha se aay..

Maine dusre jag se pura pani uss haath pe gira diya par...wo aag waise hi rahi...aag kam hone kaa naam hi nahi le rahi thi....agar ek baat thi uss aag mein waise jalan nahi thi...mujhe to pata bhi nahi chalta iske baare mein agar dekhta nahi....par kya Bua ne isko dekha tha...nahi dekha hoga agar wo dekhti to thodi naa jaati....main koshish kiye jaa raha tha usko kam karne ki par kuch ho hi nahi raha tha....tabhi cabin ke ek khidki ki ek kaanch tuti aur usme se ek cheel aaya aur mere ussi haath pe aake baith gaya....yaha pahle se fatti padi thi aur ye alag hi hai jo pata nahi kaha se aa gaya....

Par jo hua wo dekhne laayak tha....mere haath mein aaate hi mere haath ka wo aag uske upar chala gaya aur wo bilkul ussi tarah dikhne laga jaisa maine uss din dekha tha....Abhi main usko dekh raha tha ki darwaja khulne ki aawaj aayi...aur main waha dekhne laga tab tak wo cheel jaa chuka tha.....par kaha se....ye pata nahi...

Bua - Tu khada kya kar raha hai...bola tha naa baitha rah...

Main - Wo...wo waha....

Maine jab uss kaaanch ki or dekha to wo tuta hi nahi tha.....ye aakhir kya tha mera...vahem yaa fir kuch aur...samajh nahi aa raha tha...

Bua - Tu jaa aur bauith waha pe....Kavita....cheak karo isko....

Kavita - Ye hai School ke medical department ki haed hai...aaur Poonam ki saheli bhi....

Back to story

Kavita ji mere pass aati hai aur fir mujhko kisi energy ke golle mein band kar deti hai....Ye mere liye pahli baar tha to dar to lagna hi tha,,,,main usko khud ko nikalne ke liye kahne laga par....

Bua - Chup raho aur sidha baithe raho...dekhne do isko...

Main baith gaya....

Thodi der baad...Kavita ji ne Kaha...

Kavita - Hmm waise to sab normal hai...sayad kisi ne magic kiya tha ispe jo ab tut gaya hai...

Bua - Magic kaisa magic...

Kavita - Arre wahi sammohan wala....koi isko apne bas mein karna chahta tha sayad....par ye paaka nahi kah rahi hu ye bas andaja hi hai....

Bua - Tu pakka kyun nahi bata rahi hai inttne time se to practice kar rahi hai....

Kavita - Haa kar rahi hu par.,...iske saath samajh nahi aa raha hai sab itna jyada normal kaise dikh raha hai...aisa lag raha hai ye kabhi bimar hi nahi hua....

Bua - Ye to sahi hai naa ki ye bimar nahi hua...

Kavita - tu nahi samajh rahi hai...chalo chodo...abhi ye sahi hai koi dikkat nahi hai...(mujhse) hmm class kar sakte ho ab tum chalo jao mujhe isse baat karni hai kuch....

Itna bol ke unhone mujhe uss energuy ke golle se bahar kiya aur main...bahar jaane ko utha hi tha ki...

Bua - Tum class nahi karoge,....room mein jaao aur aaram karo....

Main - Par Madam....

Mere aise bolte hi unhone apni aankhen dikhayi....aur main bhi chup chaap apne room mein aa gaya....

Ab class mein jaana nahi tha...iss waqt neend nahi aayega...Maine wo DB ka diya hua kitab nikala aur uisko padhne laga...wahi wo unkonwon worriors aisa hi kuch tha sayad.....uss kitab mein bas kahaniyan thi...sach hi kaha tha usne....par kahani thi badi majedar.....jab tak main uss hisse mein nahi pahucha jaha pe....mere testing shield ka ek sketch aur saath hi wo cheel ka bhi sketch nahi milla...

Wo hissa kuch aisa tha ki....Titan planet pe jaha Devta baste the unme kuch aise bhi the...jo superiors maane jaate the...unke power ki koi seema hi nahi thi....Wo sab log meditation se uss mukkam pe pahuche the....par...dikkat ye hui ki...Titan planet ke Raja ko unse jalan hone lagi....kyunki wo unse jyada takatwar the....par wo apno ke prati bhi jaagrukt rahte the....ab jab aisa kuch hua to...Devtaon ke raja ne kuch ilzaam lahga ke unko nikal diya waha se...wo bhi chale gaye apne pariwar walo ke saath par....Raja ye nahi samajh paya ye sab kuch....Lucifer ki chal thi.....usne aise situations bana ke dikhaye raja ko ki wo apne yaha ke sabse shaktishali logo ko hi nikal de....Karib 10 pariwaar the jo nikal gaye the isse....unme se 2 parivaar aise the...jinko nafrat si ho gayi ab apne Raja se...unka bas chalta to wo abhi jaake Titan pe hamla kar dete aur fir waha rajya karte par....unke group ke head ko ye manjoor nahi tha....wo saare ek chote se planet pe chale gaye...aur wahi pe rahne lage....uss planet pe pahle bhi log rahte the....Ek din ki baat hai kisi kaaran unnsab mein bhi annbann hui aur wo sab....ab waha se nikalne ko ho gaye...sab bichad gaye...aur yaha waha chale gaye...unn 10 parivaaron mein se 2 Strange world mein aa gaye....aur unhi mein se ek ne wo School ki sthapna ki....wahi 2 aise the jo Dark world mein chale gaye....aur wahi ke ho gaye.....kuch hi waqt baad unka kopi pata nahi raha....jo baaki ke 6 bacche unme se....3 aise hi Orion pe chale gaye aur wahi ke ho gaye....waha pe wo jaadugaro ke saath rane lage....baaki ke 3 pata nahi kaha gaye....unka kuch pata hi nahi hai....logo ki maane to wo aaj bhi issi brahmaand mein hai...par sabse chuppe hue...apne leader ki talash mein.....

Jo inka leader tha wo pata nahi kaha chala gaya.....bas numbers ka hi pata tha ki itne yaha gaye...itne waha gaye...par ye nahi ki kon kaha gaya....

Unke alag hone ki wajah thi unke powers aur hatiyaar....unka jo leader tha usne wo sab kuch ek jagah pe band kar diya tha...ek guffa mein....aur uske aas pass ek aisa ghera jisko tod paana tab tak mumkin nahi jab tak wo 10 ke 10 waha nahi ho...ye usne issiliye kiya tha taaki kabhi koi gussa hoke....Titan planet pe hamla na kar de,,,,shuru mein to sabko ye manjoor tha par bitte waqt ke saath ye sab badal gaya....fir issi baat ko leke wo sab bichad gaye....

Maine puri kitab padh daali....mujhe wahi 10 shields ka pata chala par...wo alag thi aur meri wali alag thi...matlab unme se ek pe wo Eagle ka symbol tha to par wo testing shield nahi tha...wahi mera shield testing shield tha,,,,jo sayad unhi logo mein se kisi ke baccho ka ho jo mere pass pahuch gaya hai....main soch ne laga kya ye sab...jo bhi wo cheel ka dikhana abhi mera behosh hona ye sab...sab issi shield se to nahi mille hue the....

Par koi niskarsh nahi nikala....

Maine uss kitab ko pura kiya aur fir uss portable library mein haath daal ke special shields ke baare mein sochne laga...to ek purani si kitab nikali....

Main usko dekhne laga....

1st page mein 101 special shields ka title likha hua tha...yahi naam tha iss kitab ka...main page palatte gaya....aur mujhe bahut tarah ke shield milte gaye....tarah tarah ke shapes ke....colours ke....aur saath mein mahnge aur saste bhi....kul 101 the unme...par meri nazar gayi kuch purane walo pe....jinme se ek DB ka tha.....Crowned Elf family ka ek alag hi shield hai....waise hi kuch aur bhi families hai jinke alag shields hai...jinka use kewal wo hi kar sakte hai....par kyun...aisa kyun hai...

Main wo puri kitab ko padha par aisa koi bhi Shield nahi milla jisme Eagle ka symbol ho....par jab main kitab band karne laga to uss kitab ke back side pe mujhe uss The Unknown worriors Book ke baare mein likha milla....usme likha tha....

"ye shields Sayad aaj bhi hai par sabki najaron se door hai...ab ye afwah hai yaa sach iska pata kisi ko nahi hai..."

Main ye sab padh raha tha...waqt ka bhi pata nahi chala mujhe....kab shaam hui kab raat.....wo to DB ne aawaj lagai tab hosh aaya mujhe....wo aawaj de raha tha main room se bahar nikla...wo puchne laga kya hua class mein nahi aaye aur ab dinner bhi...

Main - Arre wo main bhul gaya tha kitab padh raha tha to bas....

DB - KItab padh rahe the to khana bhi bhul gaye....waah....tumhe mere jagah pe hona chahiye tha....mere Pita ji ko tum bahut pasand aate....wo hamesha se koi aisa hi beta chahte the...par milla main...

Main - Accha wo chodo chalo dinnner kar aate hai...

Fir hum tinno chal diye dinner karne ko....dinner ke waqt aaj wo mujhe class ke baare mein bata raha tha fir apne family ke baare mein batane laga.....mujhe uski baatein sun ke bahut mazza aa raha tha....main aksar...school mein bhi logo ko apne family ke baare mein baatr karte hue sunta tha...accha lata hoga naa koi apna hona...tabhi mujhe Bua ki baat yaad aayi wo mujhe le jaana chahti thi Dada dadi ke pass....par maine abhi Haa nahi ki thi...maine soch liya yaha se jaane ke baad mein unse bol dunga ki main ready hu jaane ko.....

Maine jaldi se dinner kiya aur fir...unke pass jaane ko nikal gaya...DB ko maine uske room mein jaane ko bol diya tha....

Main Bua ke cabin mein pahucha...waha dekha...Bua abhi bhi uss Kavita madam ke saath thi...sayad baatein kar rahi thi...ab kya ye to wo hi jaane....Darwaja khula tha to bas ye dekha tha maine...phir darwaje pe knock kiya ...

Bua - Aao ander aao bahar kyun ho....

Main bhio ander chala gaya....

Kavita madam - Haa kaho kya baat hai....

Main - Wo main ...wo Madam se baat karne aaya tha....

Kavita - Haa to bolo naa...

Main - Nahi main baad mein aata hu...

Main jaane ko hua to Bua hasne lagi....

Main mudda...

Bua - Isko maine bata diya tha subah hi ye bas majak kar rahi hai....chal bata kya baat hai...

Main - Oo aisa kya....Haa wo main ready hu aapke saath chalne ko...

Bua - Ready hu....maine tujhse pucha nahi tha Bacchu maine tujhe bataya tha ki tujhe mere saath chalna hai...agar tu naa bolta naa tab bhi le aati tujhe...Wo chod ye bata ab kaisi hai tabiyat...aaram kiya naa...

Main - Haa tabiyat sahi hai...waise bigdi bhi nahi thi....jabardasti aaram karne ko kaha aapne aaki wajah se claases miss ho gayi...

Bua - Bada aaya classes wala....tujhe fikar karne ki jarurat nahi classes ke liye....main dekh lungi sab,,,,

Main kuch nahi bola...aur waha se nikal gaya...room mein aaya aur sone ki taiyaari karne laga...

Chaliye issko yahi chod hum ek nazar apne Slayer pe daalte hai....wo abhi Dark worrld ke andhere gufaon mein tha...uske aas paass...phir bhi roshani thi...aas paas dekh jaa sakta tha....wo dekhne mein bahut takatwar lag raha tha....uske dono baajuon pe tatto jaise kuch banne hue the....ek pe saaanp aur dusre pe....ek bhediya.,....

Aaj ke liye itna hi aage ka next update mein dekhenge....next update...Slayer ka aatank...Dark world mein....Sofia ki kahani...Kon thi Sofia kaha se aayi thi wo....aur Viraj ki bhi thodi si history jaanege...

Member
175
196
43

Nice
 
expectations
23,522
15,522
143
badhiya update hai lekin wo panchi wali power chali gayi kya kuch pata na chala aur ye slayer bapach aa gawa bhai
 
Main Samay hu...
1,767
1,439
143
UPDATE - 14

Ab tak...

Prateek ko kuch pata chala tha unn shields ke baare mein....saath mein wo eagle....wo uske pass aaya tha par abhi tak uska kuch samajh nahi aa raha tha...raat ke waqt Prateek Poonam ke saath apne Dada dadi ke pass jaane ko maan jaata hai...Wahi yaha se bahut dur Slayer Dark world ke andheri gufayon mein baitha meditate kar raha tha....

Ab aage....

Chaliye Dark world mein chalte hai....Haa wahi jaha Slayer rahta hai.....

Yaha ki andheri guffaon mein se kisi ek guffa mein jaha pe Slayer tha...meditate kar raha tha waha pe.....aawajein ho rahi thi....khushphusane ki aawajein.....jaise log baatein kar rahe ho.....bilkul dhire dhire....par ye aawajein marre hue laogoo ki thi....yaani aatmaon ki jo Slayer ke ander the....aur ab unhe bhookh lagi thi.....matlab koi naya aatma chahiye tha unhe....

ye aawajhein bahut hi dhimme dimme badhne lagi.......tez....aur tez....fir ek dum se shant.....sab shant ho gaya...kyunki kisi ke pairon ki aawaj aane lagi thi....kisi ke chalne ki aawaj....ab ye kadmo ki awaj tez hone lagi....aur Slayer wale guffa ke saamne chali gayi....

Ek ek aankh wala insan jaisa dikhne wala hi koi jeev tha ye....sharir ka aakar bahhut bada tha....hathon mein uske ek talwar thi....

Usne apne ek aankh se Slayer ki oor dekha wo abhi tak apni aankhen band kiye hue tha...uss ek aankh waale ne jab ye dekha to uske saans mein saans aayi....aur fir wo ander gaya...apne haath me pade hue talwar kko ek baar dekha....fir apni aankhen band kari aur sayad kisi ko yaad kar raha ho wo....tabhi uske ek aankh se aansu ke bunde bahne lagi....fir usne tralwar ko apne pet mein gussa diya...par koi aawaj nahi ki usne....fir ussi talwar ko apne hi haanthon se ghumaa diya ussi tarah....aur fir uski pakad uske talwar se chutne lagi....aur dekhte hi dekhte wo....nicche jammin pe gir gaya......uska girna tha...ki uske sharir se ek roshani nikli ar wo sidhi Slayer ke ander chali gayi....aur wo body jo uss ek aankh wale jeev ki thi wo waha se gayab ho gayi saath mein wo talwar bhi....Slayer waise hi meditation mein baitha raha....

Chaliye dekhte hai wo lash kaha gayi....

Iss guffa se bahut dur ek basti thi....jaha ussi ek aankh wale jaise log raha karte the....aaj ussi basti walo ki baari thi ki unme se koi ek jaaye aur apni aatma ko saunp de Slayer ko.....

Dark world ke saare log aise hi bastiyan mein rahte the...aur sabhi basti ka ek head hota tha.....pahle ke halat kuch thik the abhi se....par iss Slauyer ke aane se hi tabahi mach gayi thi....naa jaane kitne hii logo ko usne ek hi din mein khatam kar diya tha....Wo to kuch aise log aa gaye the waha jinhone usse ladayi ladi aur lagbhag se usko hara diya tha.....aur wo Slayer waha se gayab ho gaya aur chup gaya kahi pe.....

AB isko kisi jwalamukhi ke fatne se pahle wala...bhukamp kaha jaa sakta hai.....jisse tabahi hui thi par utni nahi.....

Slayer Yaha iss Dark world mein hi kyun aaya tha iske piccche bhi ek wajah thi....wajah thi uski Maa....Sofia ne Slayer se kaafi baar iss jagah ka jikr kiya tha....bataya tha usko yaha ke baare mein yaha ke logo ke baare mein.....sayad yahi wajah thi ki Slayer ne yaha hi aane ka chunna...ek aur bhi wajah thi uski bhookh....

Slayer jo pit ke waha se bhaga tha wo bhagte bhagte ek khandahar mein pahucha....jaha usko kuch log dikhayi diye.....kuch jaane pahchane se log.....jinko usne sayad pahle dekha nahi tha kabhi par unke chahre kuch kuch pahchane hue lag rahe te......jab Slayer ne dhyaan diya to waha ki ek ladki ka chahera....bilkul uski Maa Sofia ki hi tarah dikhta ttha....Slayer ye dekh ke jhatka khaa gaya......

Wo unke paas jaane laga chip chip kar....aur jab unki oor dhyaan se dekhne llaga tab usko pata chala inn sab ki halat bahut kharab hai......Wo unn logo ko dekh hi raha tha ki poicche se kisi ne usko chua....jab Slayer picche mudda to waha wahi logo mein se ek tha jisse maar kha ke wo bhaga tha.....uss aadmi ne ek baar aas pass dekha jab koi nahi dikha to....

Wo aadmi Slayer ko apne saath le gaya....wahi pass mein ek chota sa ghar jaisa banna tha...Slayer ko wahi le gaya wo....

Waha pe ussi ne uski malham pati ki.....ab inn sab se sawal uthna to laazmi hai....

Slayer ne puch hi liya unse unke baare mein.....aur aisa jawab milla jiski ummid bhi nahi thi Slayer ko.....

Jawab aaya waha pe ek buddi se.....buddi dikhne mein bahut hi ajeeb thi.....usne ek pal ko bas ek pal ko hi to Slayer ko dekha aur usko pahchan gayi.....usne Slayer se Sofia ke baare mein puccha par....Slayer ne kuch nahi bataya.....aur jab usne nahi bataya to uss budiya ne apni kahani shurur kar di....

Budiya - Yahi issi jagah paida hui thi wo Sofia.....meri hi bahen thi wo.....apni sagii bahen......hamari Maa ek chudail thi....aur Pita devtaon mein se ek....par shakti nahi thi unme koi......saari shaktiyan jaa chukki thi....kuch bhi nahi tha unke pass....unki shadi....ko yaha ke logo ne manyata nahi di....dete bhi kaise....koi devta ki shadi kabhi kisi dayan se ho ye mumkin hi nahi tha yaha ke logo ke hissab se....Pita ji jo ki yaha apne purvajo mein se akele bacche the unko bandhi bana liya gaya....yaha ke kabilon ke sardaro ki taraf se.....

Maa jo pet se thi unko aise hi issi jungle mein chod diya gaya.....hum dono ko janam dene mein hi Maa ki maut ho gayi....jab sardaron ko ye pata chala to unhone humara dhyaan rakhne ke liye Papa ko bahar nikal diya....par Papa...unko kuch ho gaya tha ab....wo bas kisi tarah se badla llena chahte the iss pure planet se...par shakti thi nahi...tha to bas ladne ka tarika.....unhone humme wo tarika shikhaya...ek din unke techniques ka pata chal gaya yaha ke Vampire kabile walo ko....unhone Papa ko kharid liya...auur tab se hum gulam hai unke.....jo wo kahte hai hum wahi karte hai....jisko maarne bolo usko maar dete hai...humme apne liye 2waqt ka khana mil jaata hai....ye jisne tumhe maara wo bhai hai tumhara,....

Sofia yaha se bhag gayi thi..jab wo badi hui.....par uske dimmag mein bhi bas badle ki hi baatein ghumti rahti thi.....uska kuch bhi pata nahi tha humme...ek din uski kuch khabar milli thi par fir se gayab ho gayi.....

Slayer sab dhyaan se sun raha tha......wo ye jaan chuka tha ki yahi jagah hai jaha uski Maa ka janam hua tha....aur bhi apne Maaa aur uske parivar ke baare mein sab jaan chuka tha wo....unn logo ne Slayer ko rahne ke liye jagah diya....par khane ko kuch naa de sake kya hi dete kuch hota tab naa.....

Slayer ko waha pe ek kitab milli....ye wahi kitab thi The unknown worriors ki koi copy thi.....wo uss Budiya ke pass thi....uss kitab pe bahut kuch likha tha...puchne ppe pata chala wo kitab uss budhiya ki pita ki aakhiri nishani thi....Slayer wo kitab le liya....aur uss kitab mein likhi hui chizzo se....aur banne hue nakse ko dekhene laga samajhne ki koshish karne laga......

jyada waqt nahi laga samajhne mein....pahle se hi uske pass....uss planet ka ek naksha tha bas ussi ko aur uss kitab mein banne nakse ko dekhte hue usko kuch milla...unhi andheri pahadiyon mein....aur wo chal pada unn pahadiyon ki oor......Kuch din beet gaye the usko....aatma naa mille hue.....koi aur rasta nahi dikha to usne unhi logo ko jala dia....har ek ko...aur unhi aatma ko apne ander khinch liya....aur chal diya pahad ki oor.....

Pahad ke pass pahucha to waha pe bahut hi ghana jungle tha....aur Slayer ko jana tha unhi jungle ke biccho bich banne hue ek guffa mein....

Guffa mein uss kitab mein likhi gayi chizon ke anusar kuch aisa chippa hua tha jo bahut hi kimti tha......

Slayer badhta gaya badhta gaya aur thode bahut jangli jaanvaron ko maarte hue wo pahuch gaya waha se uss guffa mein...aur guffa mein jaate hi shuru kiya usne apna kaam.....

Kitab mein likha tha....guiffa ke darwaje ke theek nicche hai wo cheez.....jab Slayer ne ye shuru kiya aur uss chiz tak pahucha...to waha pe bas ek kankaal tha....haa ek kankaal pata nahi kiska....Slayer ne usko chua...aur uske ek haath pe...ek lomdi ka nishan ban gaya.....ab ye nishan kya tha kyun tha pata nahi.....tha Slayer ko.....

Jab wo nishan bana Slayer ke haath pe ro ek pal ke liye to khalbali hi mach gayi thi uske sharir mein....uske ander jjo bhi aatmayen the wo cheekhne lagi thi....aur dekhte hi dekhte....Slayer jammen pe tha...

Jab ye hua to kuch log....waha uss jungle mein jaldi se pahuche.....une se ek ke haath pe ek saanpm ka nishan tha.....usne ek baar Slayer ko dekha.....fir picche hat gaya.....aur jhuk gaya uske saamne.....

Slayer jo jameen pe lete hue tha....chilla raha tha usko ye sab dikh bhi nahi raha tha,.....wo to bas apne hi dard mein tha......

Wo log Slayer ko utha ke le gaye uss jagah se....

Slayer....2 din waha p waise hi behosh raha aur jab uttha to bhookh se pagal hua tha wo.....usne aas pass dekha ek aurat baithi thi....usne uske gardan mein kaat liya...aur wo aaurat wahi pe mar gayi...aur uski aatma Slayer ke ander chali gayi......Jab slayer ne aas pass aur dekhha to usko bas ek khali jhopdi hi dikhayi di....jisme sayad ek wo aurat aur ek slayer hi tha aur koi nahi....Slayer uss jhopdi se bahar nikla aur yaha waha dekha to usko apni ek aadmi milla jo aankhen band kiye hue ek pather pe baitha tha....Jab slayer ne uski sakal dekhi to wo aur chauk gaya....ye wahi tha...bilkul ussi ki tarah dikh raha tha wo jo hamesha aata tha Slayer....part aur Neelam ko maarne ke liye...jab wo school mein the....ye wahi tha jo har baar bach ke nikal jaata tha....

Slayer uske saamne jaa baitha aur usko dekhne laga....

Aadmi - Malik....to aapko hosh aa hi gaya......

Slayer chup raha aur usko dekhta raha....

Admi - Malik aapki Maa ne mujhe ye aadesh diya tha ki aapko aur aapke shathiyon ko main practice karata rahu....bas yahi wajah tha mere aapke pass aane ka....ab aap uss kabil ho gaye hai ki mujhe ab yaha se mukht karenge....ye shakti....ye jo mujhe taufe mein milli thi iskop wapas lele malik aur mujhe marne de....main jaanta hu meri biwiw ko maar diya hai aapne....

Slayer kuch nahi bol raha tha bas sun raha tha.....

uss aadmi ne apnae pith pe lage hue uske talwar ko nikala aur khud ka gala kaat diya....Slayer ne uski body ko chua aur uske dusre haath pe ban gayi..wo saanp ki nishani....saath hi uski aatma bhi ussi ke ander chali gayi....

Ab baari thi jwalamukhi ke fatne ki....Sab log abhi Dark world mein aaram se the....par ab waqt badalne wala tha....Slayer ne wapas se logo ko maaran shuru kar diya...aur iss had tak marra ki sabhi sardaron ko uske pass aana pada aur uske saamne ghutne daalne pade....wo sab usse har maan gaye aur uski gulami ko kabul kiya....

Slayer ki bas ek hi shart thi....usko aur kuch nahi chahiye tha wo bas ussi guffa mein rahne ko taiyaar tha saath hi kisi ko bhi naa marne ki baat bhi kahi usne par....uske liye roj ek aatma uske pass pohuch jana chahiye,,,,Jis din aatma nahi pahuchi wo bahar nikal aayega aur wo din bura hoga.....

itna bol Slayer wapas se guffa mein chala gaya.....aur Slayer ne baaki sab chod diya yaha ke logo pe...

Guffa mein Slayer apne naye powers pe dhyaan lagata unpe kaabu paane ki koshish kiya karta....aur saath hi waise hi aur powers dhundhta...roj koi mnaa koi aata aur khud ka aatma usko de deta....khud ko maar ke....

Chaliye Sofia ka dekh liya ab Viraj ka bhi dekh lete hai....to Viraj ki bhi kuch aisi hi kahani hai wo bhi unhi 10 parivaron mein se ek parivar ka tha....jinko Titan planet se nikala gaya tha....uske purvaj Orion planet pe aa gaye the...Sofia ka ussi ko apne pyaar mein faansna koi sanjog nahi tha ye sab Sofia ka socha samjha plan tha...par...kismat dekho...Viraj waha se bhagne mein kaamiyab ho gaya tha...

Chalo ye sab chodo...ab chalte hai Earth pe wapas...

Haa to Prateek yaani main subah utha aur chal diya taiyaar hoke dhyaan lagane....aaj kuch ajeeb nahi hua....sab normal hi tha...wahi fir 8 baje ke aas pass main utha aur jab utha to Bua wahi pe khadi thi....wo mere jaagne ka hi intezar kar rahi thi bas....

Bua - Chal jaldi kar bus aati hi hogi....

Main - Arre haa main chan....

Bua - wo sab waha ho jaayega....tu chup chap chal...wo mujhe lagbhag khinchte hue le gayi gate ke pass...aur turant hi wo Bus aayi....main aur Bua usme chad gaye....

Bua - Hmm tu room mein jaa fresh hoja main yaha dekhti hu....

Main - Room...par mujh....

Abhi pura bola bhi nahi tha ki koi aaya aur mera haath pakda usne aur Main ek room mein tha....room mein mere liye 1 naya kapde ka set rakha hua tha...main bhi iss baar wait naa karke jaldi se change kiya...aur abhi change kar ke ready hi hua tha ki ek jhatka laga aur fir darwaja khula...

Bua - Kya kitna late karega chal jadi...aaj sab bahut khush honge tujhe dekh ke waha pe....

Unhone mera haath pakda aur agle hi pal hum dono road pe the....bada hi alag jagah tha ye....ass pass bas ped hi dikh rahe the.....aur theek hamare saamne tha ek bada sa ghar....

Bua - Ye hai hamara ghar...

Aaj ke liye itna hi chota update hai....

Kal aur parso 2 din ek- ek update aayenge...raat mein
 
expectations
23,522
15,522
143
badhiya update bhai ji ghar pahunch gawa apna hero aur slayer bhi bahut takatwar hua apni sofiya ka badla lega wo aabse
 
Top