Fantasy Karmyudh by ( gOlDy ) Complete

ADMIN :D
Senior Moderator
12,182
10,225
145
UPDATE 38

Aage badhne se pehle clear kar du ki dosto pichhle update me jin baba ka jikra hua ye wahi aghori baba they jo mujhe swapn me dikhe they. Haan baad me jab inka krodh shant hua to ye apne saumya roop me aa gye….

Mai wapas resorts tak pahuchato wahan police wagerah sabko dekh ke maine bahar se hi kiran ko call ki aur use sab bta kar aur Virat ko samhalne ka kehkar bahar se hi nikal liya taki police roke na. aur viase bhi time kam tha mere paas. 24 ghante me aashram tak pahuchna tha.

Maine puri jaan laga di wahan pahuchne ke liye, pehle by car fir by air aura b taxi me tha. abhi mai airport se nikal kar 8-10 km aage hi aaya honga ki achanak ek blast ki wajah se sab gaadiya ruk gayi. Maine ghadi ki aur dekha abhi 1 ghanta baaki tha shraap ka asar shuru hone me to maine ye rasta apni shaktiyo ke dam par tay karne ki sochi, jaise hi mai taxi se bahar nikla mujhse aage wali car ek blast ke sath ud gayi. Whan kisi ki cheekh goonji.

Mai daudkar us palti hui car ke paas pahucha, to usme ek aadmi fasa hua jakhmi halat me dard se karah raha tha. maine jaise taise use bahar nikala (dosto ye koi aur nahi Ajay tha thakur bheeshm paratap ka beta jo airport se apne ghar ja raha tha. mai use side me lejakar bith diya tabhi ek hasi sunayi di, ye awaaz mai kaise bhool sakta tha.

Me – “ROCKY”

R – HAHAHA

Me – mai tujhe chhodunga nahi kamine

Rocky ne aura age wali ek bus par apni laal kali beam chhodi jisse bus uchhalkar side me giri, usme cheekh pukar mach gayi.

Maine ek golden beam uski tarf chhodi to wo gayab ho gya, mujhe laga abhi kuch der to shaktiyaa mere paas hai to mai inhe bachakar Rocky ka khel aaj hi khatam kar dunga. Aur mai bus me se logo ko nikalwane laga.

Tabhi Rocky ne kich aage khade ek tanker me aag laga di. Isse pehle ki wo fate maine apni power se poora tanker hawa me uda kar door fek diya…

Maine Rocky ki tarf ek golden kiran chhodi usne apni tamsik shakti se bani laal kali beam se use kaat diya. Isse pehle ki mai apni poori shakti se us par prahaar karta wo fir gayab ho gya. Baar baar isi tarah wo waha maujood nirdosho ko target kar raha tha aur mai jitna ho sake utne logo ko bachane ki koshish kar raha tha. kaafi der is luka chhipi ke beech time kab nikal gya pta hi nahi chala.

R – mujhse kuch doori se prakat hoke – tu kya soch raha hai murkh mai kyo tujhpar sidha prahaar nahi kar rha kyoki kuch jhi der me mai tera ant karne ja raha hoon. Jara samay dekh apni ghadi ka.

Maine chaunk kar dekha to sirf 3 minute bache they mere paas.

Maine bina kuch soche samjhe apni poori taqat se ek sunehri beam se us par prahaar kiya , jawaab me is baar usne ek syaah kali beam se meri shakti ko roka. Dono shaktiyo ke aapas me takraane se ek bada dhamaka hua , jisse wahan maujood sabhi log thode bahut jakhmi ho gaye, mai bhi us dhamake ke veg se uchhalkar pichhe ko gira. Shock to rocky ko bhi laga par wo samhal gya.

R – “Bas ab bahut hua khel, ab marne ke liye taiyaar hoja. Ye dekh”

Uske hath me ek divyastra aa gya. Jo teevra prakash se

R – ye hai amogh shakti jo khud ma patal bhairvi se paayi hai maine. Ab de ke dikha jawab de sakta hai to.

Maine uski aur apni sunehri urja se hamla karna chaha par kuch nahi hua shayad shraap ka asar shuru ho gya tha.

Tabhi jaise waqt tham gaya, wahan mere paas hi baba prakat hue.

B – putra wahi hua jiska hame sandeh tha, ki ye shaitaan tumhe aashram tak nahi pahuchne dega. In halato ke liye kahi na kahi mai bhi doshi hu. Tap bhang hone se mai krodh me aa gya tha, prabhu meri bhool ko kshama kare.

Me – aap swayam ko dosh na de maharaj, niyati ne jot ay kar rakha hai hoga wahi.

B – par ab bina madad ke tumhara bachna sambhav nahi. Dekho tumhari madad karne kaun aaya hai.

Baba ke pichhe se Virat samne aaya.

Me- nam aankho se – virat mere dost , mujhe maaf karna tere is bure waqt me mai tera sath nahi de paya aur kayar ki tarah jaan bachane yahan bhaag aaya

Virat ne aage badhkar mujhe gale laga liya

V – nahi dost tumhara uddeshya to mere dard se kahin bada hai, mujhe baba ne sab bta diya hai. Ab tu is kamine ke samne se hat aur mujhe iski is amogh shakti se nipatne de.

Me – jahan mai bebas hu tu kya karega.

Wo muskraya - bas tu side me hat ke dekh

Mujhe baba ne ek tarf aad me kar diya, fir virat ki tarf dekha, achanak virat badalne laga. Wo hubahu meri tarah dikhne laga kapde aur yahan tak ki jakhm bhi.

Wo jo karne wala tha uska bhaan hote hi main kaanp utha

Tabhi waqt punah shuru ho gya aur Rocky ne Virat ki aur amogh shakti chala di. Wo shakti bijli ki gati se aakar jaise hi virat se takrayi. Uski urja se takreeban 500 m ke daayre me sab dhadhak utha. Charon taraf se cheekhe sunayi de rahi thi kayi nirdosh us urja ki bhent chadh gaye, jinme ajay bhi ek tha. aur mujhe baba ki shaktiyo ke kawach ne bacha awashya liya par wo lagbhag 70% jal gaya tha aur Is hadse ke karan mai apni yadasht bhi kho baitha.

  • Flashback ends -
VIRAAAAAT……………. Chillate hue mera dhyaan bhang hua, aur meri aankho se aansu beh rahe they aur mere saamne kiran baithi ro rahi thi.
 
ADMIN :D
Senior Moderator
12,182
10,225
145
UPDATE 39

“VIRAAAAAT…………….” Chillate hue mera dhyaan bhang hua, aur meri aankho se aansu beh rahe they aur mere saamne kiran baithi ro rahi thi.

“Kiran wo… wo virat….. usne wo shakti apne upar le li… kya jarurat thi use yu….. kya sochkar kiya usne ye….”

Kiran – samhalo khud ko surya

V – kaise samhalu kiran usne meri maut apne upar le li.

K – uska balidaan ko bekar nahi jane dena chahte ho to samhalo khud ko.

V – nahi …. Nahi chhodunga mai use

Tabhi wahan baba ki awaz aayi….

B - “Chhodna chahiye bhi nahi putra. Tumhare jaane ke baad maine hi Virat aur Kiran ko samast ghatnakram ke baare me bataya tha, sath hi apna sanshay bhi ki wo tumhe aashram tak pahuchne nahi dega.”

Surya kiran ke aage ghutno par aa gya rote rote aur Kiran dono hatho se uske aansuo ki behti hui aviral dhara ko pochh rahi rahi thi.

B – ye to dono hi tumhe bachane ke liye mere pairo me gir gaye, putri kiran swayam aana chahti thi tumhe bachane par putra Virat ne kaha ki kiran ko agar kuch hua to surya ko samhalna kisi ke bas me nahi hoga. Jabki kiran mujhse behtar tarike se use samhal sakti hai.

K – ye bolkar wo (virat) apna dukh (sukanya) bhoolkar tumhe bachane gaya , yu rokar uske balidan ka majaak mat bnao surya, utho aur bta do us Rocky ko ki Surya laut aaya hai.

S – daant peeste hue – haa…. Usne jo kiya hai uska painaam wo bhugtega….. mai dunga use jo saja wo bhugtega… Rocky aa raha hu mai….

B – putra , josh me hosh mat khona…. Bhale hi ab uske paas amogh shakti na ho (kyoki wo iska use ek hi baar kar sakta tha) par wo kam nahi hai.

S – maharaj ab uski koi shakti koi kawach usko nahi bacha sakti, mujhe ab apna koi moh nahi hai, ab job hi hoga hamare beech nirnayak hi hoga.

B – us nirnayak takrav se poorv mai tumhe apni samast tapobal pradaan karna chahta hu putra. Mai kayi varsho se tapasya me tha jo us dusht ke shadyantra ke karan bhang ho gayi, ab mai ye tapobal tumhe deta hu.

S – mai anugrahit hua maharaj

Baba dhyaan ki mudra me baith gaye aur surya unke saamne, baba ke bheeter se ek shaktipunj nikla aur baba ke dil wali jagah se nikalkar surya ke dil me pravesh kar gaya.

Surya wo tej nahi samhaal paaya aur behosh ho gaya.

Kiran surya ki aur lapki par Baba ne rok diya.

B – ghabrao mat putri ye subah tak hosh me aa jayega. Naa sirf yeh tapobal balki surya ko janm se mili hui sabhi shaktiya bhi kal apni purnta par hongi, fir koi bhi buri shakti iska samna nahi kar sakti…

Ye janne ke baawjood kiran wahi surya ke sirhane baithi uske baalo me hath ferti rahi.

Puri raat kiran Surya ke sirhane baithi rahi par ab pehle ki tarah wo udaas nahi thi kyoki uske surya ki yaaden jo wapas aa gayi thi.

Subah jab surya jaga to wo pehle ki apeksha shaant aur sanyat lag raha tha. Uske shareer se alag hi aabha nikal rahi thi. Surya ne jaise hi kiran ko sirhaane baithe dekha to muskrat utha.

Surya (man me) – kiran mujhe maaf karna ki ab tak mai tumhare pyar ka jawab pyar se nahi de paya, bus kuch samay aur, us shaitaan ke ant ke sath hi mai apna dil tumhare samne khol dunga. Abhi tumhe un dono ke baare me bhi to batana hai.

Kiran – good morning surya, kaisa feel kar rahe ho ab.

S – very good morning, I am totally fine. Baba yahi aashram me hain ya…

K – nahi wo raat hi chale gaye they. Shayad aate hi ho, tum ready ho jao.

Hmmm haami bhar kar surya nahane dhone chala gya. Nahakar lauta to dekha kiran nashta kutiya me hi le aayi thi.

K – jaldi nashta kar lo fir pitaji (acharya ji) bhi tumse milna chahte hain.

Me – ha mai bhi unse milna chahta hu

Mai asal me sab baate pehle unke samne clear karna chahta tha, kyoki guru they wo mere, unhe andhere me rakhkar koi faisla lena mujhe sahi nahi laga. to nashta wagerah karke mai swamiji ke paas pahucha. Wo bhi is baat se bahut khush they ki mai us daur se bahar aa gaya hu.

Maine unhe beet ek varsh ka sab haal keh sunaya aur sath hi ye bhi ki bataya ki Kiran aur mai pehle se hi ek dusre ko pasand karte hain. Unhone muskara kar kaha – putra mai janta hut um galat nahi ho sakte, behtar hoga ki bhaavi jeewan ka nirnay tum log swayam karo, mera aashirwad sada aur har nirnay me tum logo ke sath hai.

Mere dil se ek bojh utar gaya tha, mai jakar kutiya me baitha hi tha ki baba ki awaz mere man me goonji.

“Putra surya”

Me – ji baba aap kahan hai

B – putra apni shaktiya tumhe den eke baad maine jungle me jaakar Samadhi le li aur is sharir ka tyaag kar diya.

Me – kya….. baba aap bhi mujhe yu akela chhod kar chal diye.

B – putra ye yudh to tumhe hi ladna hai, ye tumhara Karmyudh hai, haan mera aashish hamesha tumhare sath rahega.

Me - to mera margdarshan kare maharaj

B – isiliye maine tumse sampark kiya hai putra, Rakesh ek gupt jagah par pichhle ek varsh se ghor tap kar raha hai aur sheeghra uska tap purn hone wala hai jisse use wo shakti mil jayegi jisse wo bhootkal me mare hue asur mahayodhao ko punah jivit kar sakta hai. Tumhe uska ye tap khandit karna hai. Wo ******* par hai.

Me – jo agya maharaj
 
ADMIN :D
Senior Moderator
12,182
10,225
145
UPDATE 40

Mai jaise hi bahar nikalne laga saamne kiran aa gayi.

Me – kiran us shaitaan ka pta lag gaya hai, mai jar aha hu use uske kiye ka dand dene.

Kiran – wait a minute, mere sath aao

Wo uska hath pakad kar aashram ke mandir mr le gayi aur aarti ka thaal lekar surya ko tilak kiya.

K – Ishwar tumhe safal kare.

Mai aashram se sidha waha pahucha jahan jungle me ek khandhar ke tehkhaane me baitha Rakesh tap kar rha tha.

Maine jab tehkhaane me ghusne ki koshish ki to Rocky ki shaktiyo ke dwara bane suraksha ghere ne mujhe andar jane nahi diya.

Main apni aatmshakti ko prayog karte hue us ghere ki taraf ek sunehra shaktipunj chhoda, jiski wajah se ek jordar awaj ke sath wo suraksha ghera toot gya. Ye awaj sunte hi Rocky jo ki tap me baitha hua tha, usne apni aankhe khol di.

R – kiska itna dussahas jo mera tap bhang karne ki cheshta ki.

Andar aate hue, surya – badi jaldi bhool gya mujhe

R – tum…. Tum jinda kaise ho… ye nahi ho sakta amogh shakti ka waar kabhi bekar nahi ja sakta.

S – waar to tera sidha mere dil par laga, au rub mai usi ka karj chukane aaya hu.

R – matlab….

S – tune amogh shakti mujh par nahi , mere dost Virat par chalayi thi, jo us waqt mere roop me tha.

R – itna bada dhokha

S – ye koi dhokha nahi ye tere jaise ko taisa hai dhokhebaaj shaitan, tune bhi to mujhe dhokhe se baba ka tap bhang karwa kar shraap dilwaya tha.

R – “par ab mai utna kamjor bhi nahi hu jaisa tujhse takraya tha” kehte hue usne ek shakti prahaar kiya surya par.

Surya satark tha usne apni shakti se us prahaar ko bekaar kar diya.

S – afsos ab mai bhi tujhe koi chhal karne ka mauka nahi dunga

Rocky ne gusse me ek kaali beem jisme se laal chingaariyan nikal rahi thi surya ki aur chhodi, surya ne bhi apni sunehri beem se use rokne ka prayaas kiya, par wah surya ki shakti ko chhinn bhinn karti hui uski chaati se ja takraayi, jiski wajah se surya hawa me kayi upar uchhal kal pichhe diwar se ja takraya.

R – hahaha kya hua bachhe… bhale hi ab mere paas amogh shakti nahi hai par use pane ke dauraan meri aatmik shakti itni badh gayi hai ki chahu to tujhe chinti ki tarah masal du.

S – man me – ye wakayi takat me kaafi aage badh chukka hai pichhli baar ki tulna me.

Tabhi mere man me baba ki awaz goonji.

B – putra apna manobal badhao, yadi abhi tum par hamare tapobal ka kawach na hota to tum jivit na hote. tumhare bheetar mera tapobal bhi hai, uska prayog karo.

S – jo aagya maharaja.

S – jyada khush mat ho shaitaan , ab ye waar jhel kar dikha.

Surya ne apni aur baba k tapobal se mili shakti ko ek sath milakar ek shakti punj ka nirmaan kiya aur Rocky ki taraf chhod diya.

Rocky ne punah apni sampoorn shakti ikatthi kar jawab me ek kaala shakti punj uski aur chhod diya. Dono shakti punj ke takraane se bheeshan garjan ke sath wo khandhar dheh gaya kintu Surya aur Rocky apni shaktiya prayog karte hue us malbe se bahar aa gaye. Lekin dono ki halat khasta ho gayi thi.

Tabhi wahan meghna aa pahuchi, wo abhi aad me thi. Samay ki najakat ko bhampte hue wo chupke se Surya ke pichhe aa gayi. Wo dhokhe se surya par waar karna chahti thi ki tabhi Rocky ne surya ki aur ek laal rang ki beam chhodi, surya jo ki pehle prahaar aur fir malbe me dabne ke karan thoka chotil ho gya tha, usse starkta me chook hui. Par isse pehle ki wo beam wuse lagti wah aapni jagah se ek taraf kood gya aur wo beam jakar lagi meghna ko jo chupchaap uske kareeb aa gayi thi. Beam lagte hi wo jaise raakh me badal gayi.

R – NAHHHHHIIIIIIIII…….

Meghna rocky ka na sirf pyaar thi balki is duniya me uska eklauta rishta bhi thi. Uski maut se wo baukhla gaya.

R – ye bahut galat hua, iska dand ab pura sansaar bhugtega. He MA PATAAL BHAIRVI mujhe nahi chahiye koi siddhi ya vardaan, meri aaj tak ki saari tap sadhana ke badle mujhme itni kaali shaktiya bhar do ki mai is pure sansaar ka hi ant kar du.

Uske yeh bolte hi aasman se kale dhue ki kayi balkhaati lehre si usme samane lagi, uski aankho ki putliya safed ho gayi aur kad badhne laga.

Surya ne jab ye sab dekha aur mehsoos kiya ki iske prahaaro ki intensity pehle hi kam hone par hi nahi aa rahi to ab ….. usne suryadev ka dhyaan kiya.

S – he dev, mai chahta hu job hi divya shaktiyaan Aur tapobal mujh me hai use milakar aap ek aise shastra me badal de jisse mai is dusht ka sanhaar kar saku.

Sdev –surya ke man me- parantu isse tum shaktihin ho jaoge putra

S – mujhe apni parwaah nahi par ise aaj rokna ati aawashyak hai

Sdev – thastu

Surya ke sharir se devtao dwara di gayi shaktiyaa sunehri shaktipunj ke roop me baahar aane lagi saath hi baba ke tapobal aur uske khud ki arjit ki hui aatmbal ki shakti bhi baahar aa us shakti punj me samane lagi. Samast shaktiyo ke ikattha hone par us shakti punj ne ek divya bhaale ka roop le liya.

Udhar shaktiyo ko apne bheetar le Rocky aniyantrit ho gaya tha. pagal haathi ki tarah chinghaadte hue wo har tarf tabahi machane laga.

Surya ne us divya bhaale ko pranaam kiya aur Rocky ki taraf chhod diya. Jaise hi wo bhala usse takraya to rocky ki cheekh ke sath itni tej roshni hui jaise dharti par hi koi surya aa gya ho. Kuch palo baad jab sab samanya hua to wahan marghat jaisa sannata tha. Rocky ka ant ho chukka tha , surya bedam niche gira pada tha aur aasapas ki puri shrishti jaise sehami hui thi, kaafi ghanto baad jab surya ko hosh aaya to wo jaise taise us jungle se bahar aaya aur ashram pahucha.
 
ADMIN :D
Senior Moderator
12,182
10,225
145
UPDATE 41 (FINAL)

Kiran besabri se surya ka hi intjaar kar rahi thi, surya ki halat dekhkar jaise uski aankhe bhi nam ho gayi. Usne daudkar surya ko banho me bhar liya.

Surya ko aaram chahiye tha to use lejakar kutiya me sula diya. Agle din tadke hi jab surya utha to kaafi behtar mehsoos kar raha thaw o fresh hokar dhyaan me baith gaya. Dhyaan me gehre utarte hi use suryadev ki awaz aayi

Sd – kaise ho putra

S – mai theek hu prabhu

Sd – putra jis prakar tumne us shaitan ka ant kiya hai usse hum bahut prasann hain, aur tumhe manchaha var maangne ka avsar dete hain.

S – prabhu mujhe kuch nahi chahiye, bas itna aashirwad de ki mai yu hi hamesha dharm aur satya ke path par chalta rahu.

Sd – sadhu putra, tum dhanya ho. Jo tumme sabhi devtao ke ansh they we wapis unhi me samahit ho gaye hain, tumhe mai apni shakti se purn swasth kar deta hu aur ab tum apna jiwan jine ke liye swatantra ho. Mai tumhe ek sukhi aur khushhaal jiwan ka var deta hu

S – dhanyawad prabhu, jab bhi mere layak koi sewa ho mujhe awashya yaad rakhiyega, mai hamesha sajj hu.

Sd – kalyaan ho.

Udhar kiran aayi to usne dekha surya dhyaan me baitha hai to weh wahi baith kar intjar karne lagi. jab wo dhyan se bahar aaya, dekhne me pehle jaisa hi tejomay aur aakarshak lag raha tha.

S - kaisi ho kiran

K – mai to theek hu, tum kaise ho

S – ab bilkul theek hu.

S – kiran kal mai poochna hi bhool gya, mere papa kaise hain.

K – tumhare viyog me bimar pad gaye they, mai roj unse milne jaati thi, jab se maine unhe bataya hai ki tum laut aaye ho unki halat behtar ho rahi hai, wo to pitaji ne tumhari yaadasht ka kehkar mana kiya hai isliye wo ruke hue they warna wo kabse tumse milne chale aate.

S – mai unse abhi milne jaaunga.

K – muskarakar – chalo mai bhi chalti hu.

S – chalo lekin usse pehle mujhe tumhe kuch batana hai.

K – kaho

Maine use pichhle ek saal ka sab keh sunaya, sush aur mehak ke baare me bhi sab bata diya. Ye jaankar ki mai unka pyaar accept kar chukka hu kiran ko dhakka sa laga.

K – mai unki sada hrini rahungi ki unhone tumhara itna khyaal rakha aur tum ho hi itne pyaare ki kisi ke bhi dil me utar jao. Mai tum logo ke beech nahi aaungi.

S – nahi kiran , mere batane ka ye aashay nahi tha. mera pehla pyaar hamesha se tum hi to thi. Pta hai bhale hi mai sab bhool gya tha par tumhara ehsaas kabhi mujhse juda nahi hua tha. maine sush aur mehak ko bhi keh diya tha ki yadi past me meri jindgi me koi aur hua to unhe use accept karna hoga.

Kiran ki aankho se jhar jhar aansu beh rhe they, wo boli – mai pehle un dono se baat karna chahungi.

Maine sush ko phone milaya aur use apni yaaddasht wapasi aur kiran ke baare me sab bta diya. Wo mehak ke sath hi thi, un dono ne kiran se kaafi der baat ki. Aur finaly teeno ne ek dusre ko accept kar liya.

Fir mai acharya ji se aashirwad leke papa se milne gaya. Wo bistar par lete hue they. Jab kiran ne unhe bataya ki mai hi surya hu, wo mujhe dekhkar ro pade.

MP – beta tu aa gya , mujhe yakeen tha beta tu aayega, aur mujhse bhi jyada is bachhi ko. Ab mujhe ishwar se koyi shikayat nahi hai chahe wo mujhe aaj hi bula le.

S – aisa kyo kehte ho papa, mai sirf apne karmyudh me uljha raha aapki sewa to kar hi nahi paya. Ab aap hamesha mere sath rahenge.

MP – jisme teri khushi beta mai usme khush hu.

Tabhi thakur sahab ka phone aaya aur unhe bhi maine sab bata diya. Wo bhi sunkar bahut khush hue. Unhone mujhe sabhi ko lekar jald se jald wahan aane ko kaha.

Papa ki tabiyat theek hote hi mai , papa , kiran aur acharya ji sabhi gaanv gaye. Jahan sab bado ke beech kiran aur sushmita se meri shaadi ki baat chali to maine khud aage badhkar mehak ke baare me sabko bta diya, ek baar to sab stabdh reh gye fir teeno ladkiyo ko bulakar aur saari baat unke samne ki gayi. Aur sabki marji se meri teen shadiya tay hui.

Kuch din baad teeno se shaadi kar ke mai wahi sattle ho gya . papa (MP) acharya ji ke sath aashram chale gaye , wo bole tum sab raji khushi ho mujhe aur kuch nahi chahiye, mai milne aata rahunga par ab aashram me hi rehna chahta hu.

Aur is tarah meri jindgi gujarne lagi.


THE END
 

Top