Incest Kasoor

Member
385
188
43
Update 10

Ab tak

Aapne dekha ki kaise Nakul Kanika ko towel mein dekh uska armaan jaag gaye aur uska ling khada ho gaya tha. Nakul kanika ko hi dekhne mein khoya hua tha ki usne kapde pahn kar nakul ko nahane bhej diya. Nahane ke baad jab nakul bahar aaya tab bhi dono ne masti kari. Door knock par jab Nakul door open kara to uske gaal par do thappad pad gaye.

Ab aage

"Kaun ho tum aur tumhari himmat kaisi hui nakul par hath uthane ki" Kanika ne gusse mein boli aur ek thappad us ldki ko jad di. Aur jaise hi kanika ne us ladki ko dusra thappad mara. Nakul kanika ko pakd liya aur kaha, "Ruk ja meri phoolan devi. Ye meri friend hai Natasha."

"To phir tumhe mara kyu bolo. Chhod mujhe main badati hu ki friend ke sath kaise milate hai." Kanika ne Nakul se apne aapko chhodne ki koshish karte hue boli. Wahi Natasha kanika aur Nakul ko dekhe ja rahi thi. Usko is baat ka bilkul bhi andaza nahi tha ki Nakul ke sath koi ladki bhi ho sakti hai. Nakul kanika se kaha, "kyoki main ise 3 yrs baad mil rah hu. Main ne ise ek baar bhi phone nahi kiya. Na hi milane aaya to is liye mujhe ye naraz thi."

"Tum jhuth bol rahe ho ise bachne ke liye. Tum side hato m dekhti hu. Kya isko nahi pata ki tum kisi se baat nahi kar sakte the." Kanika shant hone ka naam nahi le rahi thi. Isl liye Nakul ne Natasha ishara is andar aane ke liye kaha aur kanika ke hotho par apne hoth kar kar kiss karne lag gaya. Jaise hi Nakul ne use kiss kiya shant ho gayi. Nakul kanika kiss karte hue apne god mein uth kar andar aa gaya aur door laat mar di. Jisase door closed ho gaya.

"Kanika tumhein aisa kyu lagta hai main tumse jhuth bol raha hu. Kya ab tak main ne tumse jhuth bola hai jo ab bolungi." Nakul apne hoth uske hoth se alag kiya, jab kanika shant ho gayi thi. Nakul ne Kanika ko baho ke ghere se aajad kara aur use le kar ek taraf baith gaya aur Natasha ko baithne ka ishara kiya.

"Tum mein aur Natasha ki age mein jante ho kitna antar hai. Koi dekh kar ye nahi kah sakta ki tumhari dost ho sakti hai." Kanika ne kaha. Kanika ne ye baat is liye kahi thi kyoki usne Nakul dekha tha jab wah serious halat mein unhe mila tha. "Aur haan tum apne is sharir ko dekh kar mat sochna ki tum ab ise bade ya iske barabar dikh rahe to..." Kanika ne apni baat bich mein hi chhod di. Wahi Natasha to bas kanika ko dekhe ja rahi thi.

"Janta hu. Ki mere aur natash ke bich m 7 sal ka antar hoga. Par ab ye dekh mujhe aur isko dekh kar koi ye nahi kah sakta hai." Nakul ne kaha. "Main tumhe batata hu ki natash meri dosti kaise hui."

"Phir ab batao Natasha aur tumhare bare mein sab kuch. Agar jhuth bolna na to tumhare daant tod dungi aur is Natasha ke bhi." Kanika Nakul marte hue boli.

"Thik hai thik hai. Agar main ne tumse jhuth bola to ham dono ke daant tod dena. Ab shant baith kar mere aur Natasha ke bare suno." Nakul ne kaha. Phir kanika ke hoth ko chum liya. Aur bolna suru kiya.

Flashback

Aaj se 4 yrs pahle ki baat hai. Mujhe Meri badi Maa reshma thakur yaha kisi kaam se le kar aayi thi. Mujhe pata tha mere sath yaha kya hone wala hai is liye main yaha se bhag gaya tha. Us samay maine ye bhi nahi socha tha ki mere bhag ne ke baad meri maa ke sath kya hoga. Main to apni masti mein ghumta hua road pe chal ja raha tha. Mujhe ghumte hue subah se raat ho gayi thi isi ke sath mujhe bhuk bhi lagne lagi thi. Is liye maine apne jeb m paise talashne laga to kuch bhi nahi mila kyoki jo thode bahut the main unhe kharch kar chuka tha.

Is liye ek nalke se pani pike. Road kinare ek bench par ja ke so gya. Abhi mujhe adha ghunta hi hua tha ki mujhe ke ladki ki chilane ki awaj sunai dene lagi. Jab uth ke dekha to samne ek ladki ko teen ladko ne ghere hue the. Teen ladke use ke sath jabardasti kar rahe the. Main usko bachne ke liye uth kar unke taraf chal diya. Mujhe use samay Natasha ka nahi pata tha. Abhi Nataash se thode hi duri par hi tha ki main dekha wo ladke mujhe kaafi bade aur jada taakatwar the, isliye usko bachne ke liye apne as pas dekhne laga. Mujhe waha pe kuch eet dikhai diya. Maine usme se teen eet utha liye aur us ladki ki aur chal diya. Bina kuch kahe maine ek ke sar pe wo eet mar diya wo wahi bihoss ho gya. Maine bina moka diye dusre ko bhi mar diya wo eet uske muh par ja ke laga aur wo muh ke bhar niche ja gira ye dekh kar tisara waha se us ladki ko chod ke bhag gaya. Phir main Natasha ko le kar waha se bhag gaya. Thode dur jaane par ham dono ruk gaye.

"Aapko itni raat ko akele nahi nikalna chahiye. Aaj to main yaha par tha is liye aap bach gayi. Par kal ko kaun bachayega. Chaliye main aapko apke ghar tak chod deta hu." Main ne kaha.

"aapka bahut bahut shukriya aapne jo meri ijjat bachai. Kya main apne ijaat bachne wale ka naam jan sakti hu," Natasha ne mujhse mera naam puch to main muskurate hue kaha, "Mera naam Nakul ha, aur aapka."

"Mera naam Natash hai."

"Aap itni raat ko akele kaha se aa rahi thi."

"Main ek bear bar mein kaam karti hu. Main apna kaam khatm kar ke waha se jab apne ghar aa rahi thi. To raste mein mujhe wo ladke mil gaye aur mujhe yaha le aaye. Kyoki is aram mein itni raat ko koi nahi hota. Aap mujhe bach liya warna main barbad ho gayi hoti." Natasha ke kah kar rone lagi. Par Natasha ne jaldi hi apne aapko shambhal liya. "itni raat ko kaha se aa rahe the."

"main yahi road ke kinare so raha tha. Mujhe kisi ladki ki chikhne ki awaj sunai di jab apne as pas dekha to samne ke gali mein aap dikhai di to aapko bachne chala aaya. Aur haan aap mujhe aap mat kahiye, main aapse bahut chhota hu isliye mujhe tum kah sakti ho."

"To tum bhi mujhe tum kah kar bulao. Mujhe achha lagega."

"Ok natasha tumhara ghar aur kitni dur hai."

"Bas aane hi wala hai. Tum kya kaam karte ho."

"Kuch nahi abhi gaon se yaha aaya hu aur naukari ke talash mein yaha waha ghum raha hu, jaha jagah mil wahi so gaya. Par mujhe abhi tak koi naukari nahi mili." Main ne thoda dukhi hote hue Natasha se kaha.

"Aisa kyu." Natasha ne mujhe pucha.

"Kyuki ek to mere pas koi age proof nahi hai aur dusra dekhne mein ek bache jaisa lagta hu. To bhala mujhe naukari kaun dega." Main ne kaha. Natasha ne ek baar meri taraf dekha aur haste hue boli, "Ye to hai ki tum dekhne mein bache jaise lagte ho. Vaise tumhare ghar mein kaun kaun hai."

"Main aur meri maa hai bas. Pita ji bachpan mein chal base the. Maa ne badi muskil se mujhe pala, aur jab thoda bada toh Shahar chala aaya.Aur aapke" Main ne ek jhuthi kahani Natasha ko suna di. Natasha ne bhi upar vishwas kar liya kyo ki meri halat bhi aise hi the.

"Meri kahani bhi tumse alag nahi hai. Main, meri maa aur do chhoti bahane hai ghar mein."

Tabhi Nakul phone bajane lag gaya. Nakul phone utha ke baate karne lag gaya aur jab baat khatm hui to usne phone rakh kar diya. Nakul ne kaha, "kanika ab hame chalna chahiye niche taxi wala wait kar raha hai." Is baato ke dauran teeno khana bhi kha chuke the.
 
Last edited:
Member
385
188
43
Update 11

Ab tak

Aap ne dekha ki Nakul aur Kanika ke masti ke dauran jab Kanika ke kahne par jab Nakul ne door open kara ek jor ka thappad uske gaal par uski friend Natasha ne jor se mara. Kanika ne bhi Natasha ko thappad mari aur use ladane lagi, Nakul samjhane par ja kar samjhi. Phir apne dekha ki kaise Nakul ne apni aur Natasha ki milane kahni batayi is biche wo sab khana bhi kha liya. Abhi age kahni bhadt use pahle hi ka phone ring karne laga, jis wajah se Nakul ko baat khatm khatm karna pada. Phir Natasha se baad mein milane ko kah kar waha se chal gaya.

Ab aage

"Kanika ab hame chalna chahiye. Jeetu hamara niche intezar kar raha hai. Aur Natash main yahan hu ye kisi se mat kahna." Nakul ne kaha. Uske baad kanika apna handbag lene ke liye ek taraf chali gayi. "Natasha main jo kaha bhulna mat."

"Dhyan rakhungi. Main is baat ki khabar kisi ko bhi nahi hone dungi. Main chalti hu." Natasha ne kaha. Uske baad kanika aur Nakul room se nikal gaya. Uske baad Natasha bhi wahan se chali gayi. Natasha niche jane ke baad waiter ko bhej kar us room ke bahar jo khane tray-roller ko lane bhej di. Wahi jane se pahle kanika ne Natasha se usko thappad marne ke liye maafi mangi. Jis par Natasha ne kanika ko lage lag li.


Wahi jab Nakul aur kanika hotel se nikal kar sidhe jeetu ke pas chal gaye, jo bahar hi dono intezar kar raha tha. Phir dono andar baith gaye.

"Chaliye bhai." Nakul andar baithne ke sath hi jeetu se kaha. Jeetu bhi gear dal kar taxi ko aage badh diya. Is baar Nakul Kanika ke sath piche baith hua tha.

"Nakul ek baat puchu tumse. sach kahana." Kanika ne kuch sochne ke baad Nakul ki taraf dekhte hue boli. Nakul ne bhi bade hi pyar se kanika ke gaal mein hath fara aur kaha, "Pucho kya puchna hai. Main vada karta hu, main tumse jhuth bilkul bhi nahi kahuga."

"Nakul tum mujhse kitna pyar karte ho." Kanika ne Nakul ke hath ko pakad kar kahi. Nakul kanika ke is betuke sawal ko usna kar hans diya. Kanika ka ye dekh kar phir se boli, "batao na tum mujhse kitna pyar karte ho."

"Kanika main tumhare is bematlab ke sawal ka kya jawab do ye mujhe samjh nahi aa raha hai." Nakul ne Kanika ko apne gale lagte hue kaha, "Tumhare mann mein ye baat aayi, kaise ye to main nahi janta aur nahi iska karna jana chahta hu. Par itna pata mujhe ki main tumhe bahut pyar karta hu."

"Thank you. Thank you. Main tumhe bata nahi sakti. Main ye jaan kar kitna khush hu. I love you Nakul. Can't live without you." Kanika ne bahut hi emotional ho gayi thi ye bolte hue. Nakul kanika ke mathe par kiss karte hue kaha, "I also love you kanika."

"Kanika main tumhe khona nahi chahta. Yaar mere naseeb mein kisi ka pyar nahi hai. Maine jise bhi aapna mana kar pyar kiya kudarat ne mujhse use chhin hi liya. Is liye darta hu kahi tumhein bhi mujhe koi chhin na le, ya kho na du." Nakul ne apne gujare hue lamhon ko yaad kar, ye baat kanika se kaha. Usne sach hi to kaha tha ki usne jise bhi pyar kiya wahi use door ho gaya, Jise apni maa manta tha usne usko chaku mar kar uski hatya kar di. Ek bahan thi use bhi usko bhi use dur kar diya. Kya kasoor tha Nakul ye wo bhi nahi janta tha. Shayad bhagwan janta ho.

"Main aisa nahi hone dungi. Main tumhein kabhi chhod ke nahi jaungi. Agar bhagwan bhi aa gaya tumhe mujhse door karne to main use bhi lad jaaungi." Kanika ne kaha. Aise hi Nakul aur kanika aapas mein baat karte rahe. Un dono ka dhyan to tab tuta jab jeetu ne kaha, " sir ji aapki manjil aa gayi."

Taxi ke baar dekha to gate par bade bade akshro mein cbse baord likha hua tha. Nakul taxi se niche utar gaya, kanika bhi dusare taraf se utar gayi. "Jeetu bhai ye lijiye apka bhada. Abhi hame samay laga. To dekh lijiye apko kya karna hai." Nakul kanika ko le compound ke andar bhad gaya.

"Main aapka yahi par wait karunga. Aap aram se jaayiye." Jeetu ne kaha. Uske baad jeetu taxi ke andar baith gaya aur dono andar ki taraf badh chale.
 
Last edited:
Member
385
188
43
Update 12
Ab tak

Aap ne dekha ki Nakul kanika se baate karte hue cbse baord aa gaya tha. Uske baad wo kanika ko le kar andar chala gaya wahi jeetu bahar unka intezar karne lag gaya..

Ab aage

Kanika nakul ke sath andar gayi to dekh ki charo taraf log the aur andar se aa rahe the aur andar ja rahe the. Jahan ek taraf bada se maidan hari hari ghaso se sampan tha, wahi uske charo taraf jhadiya aur chhote paudhe lage hue the jo bahut hi sundar nazar de rahe the. Kuch bache apne parents ke sath us ghaas mein baithe hue khuch likh rahe the to kuch baith kar aram kar rahe the. To kuch chips, kurkure aur cold drinks kha aur pee rahe the.

Wahi Kanika ne Nakul ke taraf dekha to ek puri kyari gulab aur genda ke phool se bahar hua tha. Use ke baar ghaas se bhara hua maidaan tha jahan par kuch bache aur unke parents baithe hue the. Wahi Kanika Nakul ka hath pakade hue aage chal rahi thi par uska dhyan charo taraf tha.

"Nakul hame kis taraf chalna hai." Kanika ne Nakul se kaha. Aur phir se charo taraf ka drishy dekhne lag gayi.

"Ye to mujhe bhi nahi malum ki hame kis taraf chalna hai. Par main kisi se puch lunga." Nakul ne Kanika le taraf dekh kar kaha aur phir samne ki building ki taraf dekhne lag gaya.

"Kya tumhe sach mein nahi pata hi hame kis taraf jana hai. To khade kis liye ho. Pucho kisi se." Kanika ne Nakul ka jawab sunane ke baad uski taraf mud kar kaha. Usne apne dono hath kamar par rakh liye the. Nakul kanika ke baat aur uske is taraf khade hone ke andaz se hans diya aur uske upar bahut pyar aay usko.

"Thik hai main kisi se puchta hu." Nakul ne Kanika se kaha aur idhar udhar dekhne laga. Koi aisa vyakti mil jaye jise DMC (marksheet) ka area puch sake. Nakul ko tabhi ke vyakti aate hue dikha jiske gale mein ek card tanga hua tha, jo uske employee hone ko darshta hai. Us vyakti ki aayu 40 45 ke aapas ki hogi. Jab wo vyakti Nakul ke pas pahucha gaya to Nakul ne uske pas ja kar kaha, "Excuse me sir. Kya aap mujhe batayege ki DMC kaha se nikalwa sakte hai."


images



"Beta beta is building ke 3rd floor ke left side mein hai. 38 room hai. Tum waha ja kar pata kar lo." Us vyakti ne Nakul se kaha.
"Thank you sir." Nakul us vyakti ko dhyanwad dene ke baad waha se Kanika ko apne sath le kar nikal gaya.
 
Last edited:
Member
385
188
43
Update 13

Ab tak

Aapne padha ki Kanika Nakul ke sath jaate hue aapas ka nazara dekh kar khush ho rahi thi, wahi Nakul usko is tarah dekh kar khush ho raha tha. Phir aapne dekh ki Kanika ke kahne par Nakul ne vyakti se DMC department ka area pucha aur uske baad nakul usko le kar us taraf chal diya.

Ab aage

Phir Nakul jab kanika ko le kar DMC department area dakhil hua to dekha ki bahut se clerk apne seat par baith kar kaam kar rahe the. Nakul ek taraf chal kar gaya, jahan par ek lady Clark baithi hui thi, jiski urm koi 35 varsh ki hogi. Chhit wali ek sari aur usi rang ki matching blouse pahna rakhi thi aankhon par nazar ka chashma laga rakhi thi. Nakul kanika ke sath wahan par ja kar khada ho gaya.

"Namste Madam, kya aap mujhe bataa sakti hai ki xxxx area ka xxx zile ka DMC kaun dekh raha hai ya incharge hai.' Nakul us Lady Clark ko abhivadan karne ke baad apne prashn ko kaha. Us Lady Clark ne baar apna sir utha kar dekha, phir apne dhyan file mein karte hue boli, "is row ke last mein jo counter hai. Wahi hai jis area ki tum baat kar rahe ho."

"Thank you Madam." Nakul shukriya adaa kar ke, phir kanika ko apne sath liye aur use taraf badh gaya. Jahan par uski DMC milna tha. Phir waha jab kanika ke sath Nakul pahucha to dekha ki us jagah par ek 55 varsh ka aadmi baitha hua tha. Jo kisi file ko dekh raha tha apne aankho par nazar ka chashma lagaye hue.

"Namste sir." Nakul ne kaha. Nakul ke taraf dekha bina hi us Clark ne kaha, "Good morning and sit down." Nakul us Clark ki baat suna aur phir Nakul ek kurshi par to thik uske bagal wale kurshi par kanika baith gayi. Nakul us Clark ko apne kaam mein laga hua dekh aur kuch naa bolata hua dekh kar usne hi pahle karne ki socho.

"Sir, mera naam Nakul hai. Mujhe apni DMC leni hai. Main xxx area se xxx zile se aaya hu." Nakul ne aapne aane ka karan us Clark ko bataya. Jisko sunane ke baad bhi us Clark ne apne file par dhyan lagaye raha. Nakul ke taraf bina dekhe kaha, "Beta kaun se year ki DMC hai. Taki main dekh kar tumhe dekh saku."

"Sir, 15 pahle hi mera result aa hai." Nakul ne kaha. Nakul ki baat ko sun, apne hath mein kalam rok diya. Phir apne kaam mein dubara laga gaya. Aur Nakul ke taraf ek baar phir se bina dekhe kaha, "Beta abhi to result aaya hai. Jahan to mujhe pata hai, DMC ki printing suru nahi hogi, agar ho bhi gayi hogi to shayad hi tumhare area ki abhi suru hua hoga. Main is mein tumhari koi madat nahi kar sakta hu."

"Please help me sir. Kam se kam ek baar pata to kar sakte hai. Kya pata mere area bhi suru ho gaya ho. Please sir." Nakul ne anurodh karte hue bola. Nakul ke itna kahne pr clark ne apna sir utha ke dekha, aur phir Nakul ko apne dekh kar khada ho gaya aur hath jodate hue kaha, "Maaf karna thakur ji, mujhe nahi pata tha ki ye aap hai, aur maine aake sath aise baate kar gaya. Mujhe hi bula liya hota, is kaam ke liye. Main khud hi aapki seva m hazir ho jata."


"koi nahi, kya ab bhi mujhe mera DMC nahi milega."

"kyu nahi milega. Abhi check karta hu. Aagr nahi bhi hua hoga to main khud hi karwa kar lata." Uske baad Clark apni seat se khada hua aur ek taraf chala gaya, jahan par kuch Clark computer par kaam kar rahe the. Wahan unse baat kar sab kuch pata karne lage. Jisme unko 10 minute ka samay laga. Phir nakul ke pas aaye aur bole, "Thakur saheb apke area ki marksheet bana kar ready ho gayi hai aur abhi yaha se nikalne wala hai. Aap mere sath chaliye. Nahi aap yahi par baithiye main abhi le kar aata hu."

"Thik hai. Main aur kanika wahi baith kar aapka intezar karte hai." Nakul ne kaha. Uske baad wah wahan se chale gaye. Koi 30 minutes ke baad apne hath mein ke large envelope ke kar Nakul ke paas aa aaye aur kaha, "Maaf karna thakur saheb intezar karwane ke liye. Thakur saheb ye lijiye aapki DMC."

"Dhyanwad aapka. Aur haan main yaha par aay tha ye baat aap kisi se mat kahna. Warna aap musibat mein pad jayege." Nakul apni DMC ne ke baad Clark se bola. Uske baad Nakul kanika ke sath waha se nikal jaya.

"Sir ji bada jaldi kaam ho gaya, mujhe to laga tha sham ho jayega." Nakul aur kanika ko apne taraf aate dekh Jeetu ne kaha. Dono hi jeetu se kuch hi duri par the, jab usne ye baat kaha tha.

"Haan ji, koi jaan pahchan wala mil gaya tha isliye jaldi ho gaya. Warna sham ho hi jana tha ya phir kaam hi nahi hota." Nakul ne kaha. Aur ek taraf ka taxi ka door khol kar kanika ko baithne ka ishara kiya. Jis par kanika muskurate hue andar baith gayi. Phir nakul bhi dusare taraf se uske bagal mein ja baitha. Jeetu bhi apni drivering seat par ja baitha. "Jeetu bhai aap mujhe baar baar sir mat kahiye, baada ajib lagta hai. Ho sake to mera naam le kar boliye ya phir kuch aur jo apko achha lage. Par sir nahi. Sir sun kar sar dukhne laga hai."

"Thik hai bhai, ab main aapko sir nahi kahubga. Tabhi sochu itni jaldi kaise kaam ho gaya, hotel chalna h ya kahi aur." Jeetu ne apni taxi aage badhte hue kaha. Nakul ne hanste hue kaha, "Hotel hi le chalo." Uske baad Jeetu ne apni taxi ko hotel ke raste ki taraf badha di. Nakul aur kanika ko pahuchne mein 45 mint lage. Taxi se utarne ke baad Nakul ne Jeetu ko 3000 hazar rupaye diye.

"Bhai itna kiraya to nahi banta mera. Phir aapne mujhe itne paise kyu de rahe hai." Jeetu ne nakul ke hath mein itne paise dekh kar bola. Jis par Nakul ne kaha, "Bhai ye paise aapke liye nahi hai. Balki meri bhabhi aur unke bacho ke liye hai. Kanika jara 500 rupaye dena." Kanika ne 500 ka ke note apne purse se nikal kar nakul ke taraf badha di. Nakul ne use tham liya. "Ye 500 Apka kiraya aur 3000 mere bhabhi aur unke bacho ke liye. Aur haan jab kabhi yaha aana hua to bhabhi aur bacho se jarur milunga."

"Thik hai bhai, ye 500 to main rakh leta hua. Aur ye tumhari bhabhi ko. Aur haan jabhi yahan aana mujhe call jarur karna." Jeetu ne kaha. Aur aage badh kar nakul ke gale lag gaya. Nakul ne bhi pyar se gale mila aur phir Jeetu se vida lekar andar ki taraf chal diya. Kanika bhi Jeetu ki namsate ki aur nakul ke piche ho li. Uske baad Jeetu apni taxi mein baith kar wahan se chala gaya.
.
.
.

Wahi dusari aur kanika ke pita Anubhav ghose kisi kaam ke sinsile m city aaye hue the, apna kaam khatm karne ke baad jab Anubhav ghose apne beti ke liye kuch kapde kharidne ke liye apni car mall ki taraf ghuma di. Mall pahuchne ke baad Anubhav ghose apni car ko park kiya aur ladies garments shop ke andar chale gaye. Jahan par unhone apni beti ke liye ek sundar si dress kharida. Phir socha kyu na nakul ke liye bhi kuch kapde kharid liya jaaye, isliye waha se ek dusre shop chale jayeg, aur nakul ke liye kapde kharidne lage.

Usi samay Anubhav Ghose ko ek admi dekh liya Aur apne boss ko phone ghuma diya. Jaise hi dusari taraf se phone pickup hua, us admi ne kaha, "Boss Anubhav ghose mil gaya. Abhi mere samne ek shop ke andar gaya hai."


"Kya anubhav ghose mil gaya. Ye tumne bahut hi achhi khabar sunai hai are Gangu." Boss khush hote hue kaha. Aur jor jor se hasne laga. Apne boss ki baat sun kar Gangu bhi khush ho gaya. "Gungu us Anubhav ko pakd ke mere pass le aao, tumhein muh manga inaam milega. Agar khali hath aaya to jaaan se mar dunga. Tu janta hai na wo mere liye kitna important hai."

" ji boss janta hu boss. Main is baar apne hath se jaane nahi dunga. Jinda nahi to murda apke samne honga. Ye mera aapse vada hai." Gangu josh mein aa kar bola. Uski baat sun kar uska boss chilla kar bola, "Jinda chahiye mujhe, murda nahi. Samjh aayi meri baat. Aagr kuch ho gaya to tumhe jaan se mar dunga."

Phir boss ne phone cut diya. Jab Gangu ne apna sar utha ke dikha to dr. Anubhav waha par nahi tha. Phir Gangu apne aas pas dekha to Dr. Anubhav mall se bahar jate hue dikhai diya. Gangu tezi se niche ke ki taraf chal diya aur mall ke bahar aaya aur idhar udhar dekhne lag gaya. Gangu ko ek taraf Dr. Anubhav ghose dikhai diya, jo apni car mein baith kar nikal gaya.

Gangu bhi jaldi se apne car mein baitha aur apni car ko anubhav ki car ke picha laga diya. Dr. Anubhav apni dhun mein car chalte hue ja rahe the, aur Gangu unse thodi duri banaye hue. Jab dr, anubhav ne apni car ko highway par liya. Gangu ne apni car Dr Anubhav se duri banaye chal raha tha taki koi sak na ho. Aise ke traffic par jan Dr Anubhav ne apni car ruki to, thik piche hi Gangu ne. Dr Anubhav ko apni car ke mirror par Gangu ka chehra dikh gaya, aur use dekhte hi apni car green signal hote hi full speed mein bhaga diya. Ye dekh Gangu ne bhi full speed mein apni car Anubhav ke car ke piche laga diya aur apni gun nikal kar goli chalne lagi gaya.

Dr Anubhav apne upar hamla hota dekh apni car ki speed bada di. Piche se Anubhav ke upar fire hote rahi, ek goli unke car ke back side ke mirror par bhi lagi jo mirror ko todate hue goli unke pas se nikal gayi. Apne aapko bachte hue Anubhav car ko idhar udhar chala rahe the. Taki koi goli na lag jaye. Aage ek chauraha tha, jab Dr Anubhav waha par pahuche to 5 seconds rah gaye the rad signal hone mein, us 5 second mein Dr anubhav apni car ko red signal hone se pahle par kar diya. Gangu ko red signal par rukna pad gaya. Anubhav ko bach ke nikalne ka moka mila gaya. Warna aaj bahut kuch ho jana tha unke sath.
 
Last edited:
Member
385
188
43
Update 14

Ab tak

Apne padha ki kaise Nakul ne Clark se thoda anuradh karne aur janakari niklane ke baad apna DMC hasil kiya aur phir kanika ke sath Board se apna DMC lekar nikla gaya. Raste mein Jeetu se koi baat nahi hui par manjil par pahuchane par Nakul ne Jeetu ko apna bhai maan kar uske bacho aur biwi ke liye kuch paise diya sath hi jeetu ko taxi kiyara. Jeetu ne bhi Nakul next time wapas lautane par apne ghar aane ka nimantran diya. Phir apne apne raste nikal gaye. Uske baad aapne badha Anubhav ghose kaise bach nikala apne piche pade hue gundo se.

Ab aage

Anubhav unse bach nikalne ke baad bhi apni car ko itni tezi se chala rahe the ki unhe samne aane wali koi si bhi gadi sahi se dikhai nahi de rahe the ya phir dekhne ki koshish hi nahi kar rahe the. Thoda aage jaane ke baad jab piche dekha to wah nishant ho gaye ki ab unka picha koi nahi raha, is liye apni car ko thoda slow kar liya.

Gangu ko moka milate hi red light ko paar kar gaya aur apni car ko full speed mein Anubhav Ghose ke piche bhaga diya, car ki meter ki wo chhota sa speedometer ki sui apni akhari sankhya par ja ruka. Kuch samay ke baad Gangu ko ek baar phirse Anubhav ki car dikh gayi aur us par goliya chalane lag gaya. Ek ye dekh kar Anubhav ko ek baar phirse apni car ki speed badh di. Anubhav par goliyo ki bauchhar pahle se jada ho gayi thi. Us samay anubhav dar lagane lag gaya tha kahi unhe kuch ho na jaaye. Abhi Anubhav apne isi khyalo mein the ki unka phone ring karne laga. Anubhav ne phone aaye call ko dekh kar use utha liya aur samne wale se baat karte hue bole, "Beta kanika tum aur Nakul jaldi se ghar aa jaao. Mujhe tum dono se kuch jaruri baat karna hai." Uske baad anubhav phone cut kar diya.

Piche se Gangu aur uske sathi anubhav ko phichha kar rahe the, ab woh us se bas kuch hi duri pe the. Anubhav ko ek baar phirse samane chauraha dikhai diya. Par shayad is baar Anubhav ka naseeb kharab tha kyoki chaurahe ki traffic light kharab thi. Vahano ka aana jana bhi naam matr ka tha. Anubhav apne ko bachne ke liye speed se car chalate hue us chaurahe paar kar gaye. Unke picha kara rahe Gangu ki car ko ek truck ne takkar mar diya. Hua kuch aisa tha ki jab anubhav apni car ko jaise hi chaurahe se paar kiya, usi samay dusare side ke raste se aane wali truck ne Gangu ki car ko takkar mar diya, takkar itna jordar tha ki natija ye hua ki Gangu ki car kafi dur ja ke gira udate hue aur phir car blast ho gayi. Par Gangu aur uske do aadmi thodi dur pe ja giri kyoki car ka darwaja takkar ki wajah se khul gaya tha. Anubhav Ghose ne piche mud kar bhi nahi dekha ki ye dhmaka kaisa tha. Anubhav ki car sidhe ghar ja kar hi ruka aur apne ghar mein apne room mein chale gaye, phir apne atit ke bare m sochne lage.
.
.
.

Wahi dusari or nakul aur kanika dono fresh hone ke baad khana khane lage, jo hotel mein apne room mein aane ke baad hi order kar diya tha khane ka. Kanika ka dil kuch baichan hone lag tha khate waqt, toh usne Nakul se kaha, "Yaar mujhe papa se baat karne bahut man kar rah hai. Pata nahi mujhe aisa kyu lag raha hai ki wah koi musibat mein hai. Mera dil bhi baichan sa ho raha hai."

"Thik hai kar lo. Kam se kam is bahaane uncle ka halchal bhi kil jayega." Nakul ne khane ka niwala apne muh mein dal liya ye kahne ke baad. Kanika bhi apna khana khate hue apna phone nikal li aur apne papa ko call laga di. Nakul ke baate sun kanika ke chehare par muskaan aa gayi thi. Pahli ring ke sath hi Anubhav ghose ne apna phone utha liya tha. Ye wahi samay tha jab Gangu unka picha kar raha tha.


"Hello papa. Aap kaise ho." Kanika ne bade hi pyar se apne pita Anubhav ghose pucha. Wahi Anubhav ghose bade pyar se bole, "Beta main thik hu tum apna sunao. Sab thik raha na, marksheet lene mein koi dikkat toh nahi aayi naa."

"Min thik hu papa aur marksheet bhi jaldi hi mil gayi. Nakul bhi thik hai. Aap baato aapka kaam ho gaya na.' Kanika ne Anubhav ki baat ko sun khush hote hue bade hi madhur aawaz mein agala sawal kiya. Anubhav bhi apni is pari si beti ki awaz ko sun kar apna sar dard bhul jaate the aur aaj bhi wahi hua, apne upar aayi is musibat ko bhul gaye th. Utne hi pyar se phir se apni beti se kaha, "haan beti wo kaam to ho gaya, par."

"Par kya papa. Kya hua aapko." Kanika ke chehre par apne pita ke akhari shabd sun kar chinta ki lakir aa gayi thi. Jo samane baitha hua Nakul ne bhi dekh liya tha aur kanika ki baat karne ke tarike se use saaf pata chal gaya tha ki dusari taraf jarur kuch hua tha. Anubhav ko apni galti ka aisa ho gaya tha ki usne abhi kya kar diya tha, par apni baat ko sambhalte hue bole, "Main drive kar rahu kanika is liye main ye kaha tha ki tum dono apna dhyan rakhna. Tum kal hi nakul ko ghar aa jao mujhe tum dono se kuch important baat karni hai." Ek baar phir se Anubhav ne galati kar di thi.

"Kya hua papa aap kuch parsan lag rahe ho." Kanika ne andhere mein hi ye teer chhod jo sidhe nishane par ja lagi, Anubhav ko bhi laga ki baat nahi chupna chahiye, isliye usne bhi kaha, "beta mere piche kuch log pade hue. Par main unse bach ke nikal gaya hu. Ho sake to tum abhi nakul ko le kar ghar aa jao."


"Thik hai, papa hum abhi aa rahe hai." Kanika ne boli. Nakul kanika ke pas chala aaya aur usko bahon mein bhar ke uske komal gaal par kiss kar ke bola, "Ab baat ho gayi na papa se, koi pareshani to nahi hai na unko wahan par.

"Haan papa se baat ho gayi hai. Par papa ne jaldi hi ghar bulaya hai." Kanika ne gundo ka picha karne ki baat ko nakul se chhupa li aur ye baat use kahi. Nakul bhi Kanika ke gaal par ke baar phirse kiss karne ke baad bola, "Thik hai Natasha se mil kar kal nikalte hai, tum thak bhi gayi hogi."

"Nahi humne abhi niklna hoga." Kanika ne kaha aur uth kar khadi ho gayi. Phir apne kapde sametane lagi. Nakul ke baar khada hua aur kanika ko piche se apne bahon bhar ke bola, "kya baat hai kanika, tum kyu itni jaldi chalne ko kah rahi ho. Abhi tak to tum do char din tak yahan par ghumana chahti thi, abhi ye sab."

"Nakul papa ke upar kuch logo ne hamla kiya hai Sayad unki jaan khatre mein hai. Is liye humne jana hoga. Papa bhale hi kah rahe the ki wah bach kar nikla gaya hai. Par mujhe un par goliya chalne ki aawaz sunai di thi." Kanika ne kaha aur jo thode pahle khud ko majboot bana rakhi hui thi, ye baat kahte hue uski aankhe bhar aayi. Nakul ne usko apni aur ghumaya aur uski jheel si nilk aankhon se bahate hue moti ko saaf karte hue bola, "Thik hai, chalo phir chalte hai. Tum rona band karo, mujhe tum roti hue bilkul achhi nahi kalti." Phir kanika aur Nakul ne apne kapde apne bag mein rakh kar hotel se checkout kar gaye. Apna sara payment bhi clear kar chuke the. Nakul ne Natasha ke liye koi Note nahi chhoda tha.


Phir nakul aur kanika taxi pakada aur taxi driver ko railway station chalne ko kaha. 20 minutes mein hi wo dono railway station pahuch gaye. Nakul taxi driver ko payment kar, kanika ko le kar andar chala gaya. Phir kanika ko ek jagah khada kar ke ticket counter par gaya aur waha se tatkaal ticket liya. Phir wah kanika ke pas aa gaya aur waha se kanika ko le kar train mein baith gaya. Train samay par Delhi se nikal gayi.
 
Last edited:
Member
385
188
43
update 15

ab tak

Apne padha ki kaise Anubhav apne piche pade hue gundo se bach kar nikal gaya aur aage ja kar ek bhar phirse gunde anubhav ko picha karne lage, sath hi uske upar goliya bhi chalane lage. Is dauran Anubhav ke phone uski beti kanika ka phone aa gaya aur use baat kiya. Kanika ke mann mein bure khyal aane ko wajah se usne apne pita ko phone kiya tha. Baap beti dono ek dusre ka halchal pucha aur is bich anubhab ke muh se kuch aisa nikal gaya, jiske wajah se usko apne beti se sach batna pada. Phir kanika zidd kar ke nakul ko le kar ghar ke liye nikal gayi train se.

ab aage

"Nakul papa ke sath kuch hoga to nahi ya phir kuch hua to nahi hoga. Mujhe bahut dar lag raha hai." Kanika ka mann train mein baithne ke baad bhi abhi tak shant nahi hua tha. Uske mann mein rah rah ke apne pita ke liye dar utha hi ja raha tha. Aur isi dar ke karan kanika ne Nakul se ye sawal kiya tha. Train apni raftar pakad chuki thi, iske rukne ki gati tabhi kam hoti, ya to red signal hota ya phir koi station ane wala ho.

"Kuch nahi hoga uncle ko kanika. Tum bhagwan pe bas bharosa rakho. Upar wala itna nirday nahi ho sakta ki wah ek beti ko apne baap se alag nahi kar sakta." Nakul ne Kanika ke gale mein hath daal apni aur khich kar gale laga liya. Phir nakul ne kanika ke gaal ko chum kar ye baat Badr vishwash ke sath kahi thi. Kanika bhi nakul ki baat sun kar uske mann mein uth rahe khyal par thode der ke liye pratibandh lag gaya tha. Kanika nakul ki aur dekhte hue boli, "Bhagwan kare aisa hi ho."

"Kanika tum thode der aram kar lo, subah se hi tum mere sath travelled kar rahi thi. Kahi aisa na ho ki tumhari tabiyat kharab ho jaye." Nakul ke mann mein bhi chinta ka bhaw uthna lajmi tha kyoki use bhi rah rah kar Anubhav ke sath kuch hone ka khayal aa raha tha. Par Nakul kanika ko shant karne ke liye, wo sab baate kahi thi pahle, aur abhi bhi kanika ko kuch ho na jaye isliye wah ye baat bola raha tha.


"Nakul mujhe aram karne ka man nahi kar raha hai. Par mere mann mein rah rah kar bure khayal aa rahe hai Nakul, main kya karu inka. Is liye mujhe papa ke liye mujhe tension bhi ho rahi hai." Kanika ne apne mann mein utha rahe dwand ko apne pyar Nakul ke samane khol kar di. Nakul bhi Kanika ke baat sun kar bade pyar se uske sundar mathe ko chum kar bola, "Kanika tum aise bure vichaar apne man mein mat lao. Unhe kuch nahi hoga. Ok ab chalo aram kar lo tum."

"Thik hai." Kanika ne Nakul se boli. Phir wah apna sir nakul ke god mein rakh kar let gayi aur apni jhil si aankhe band kar li. Kanika ko kab nind aayi, use pata bhi na chala. Nakul ki bhi aankh lag gayi thi aur kanika ke sir par hath ferate hue. Jab Nakul ki aankh khuli to dekha ki raat ke 2:30 baj rahe the. Nakul ke pas koi kaam nahi tha to usne socha chalo thoda phone mein game hi khel liya jaaye. Aur Is liye Nakul ne apna phone nikal jaise hi phone ka lock khola, uske phone par Natasha ka phone aa gaya.

"Hello, Natasha kaisi ho?" Nakul ke phone uthate hi Natasha se uska haal pucha. Natasha gusse mein bhadakate hue boli, "Nakul tum ne achha nahi kiya. Mujhe bina bataye chale gaye. Kam se kam mujhse ek baar to milna chahiye tha, chalo koi nahi na mile mujhe, kam se kam mujhe phone kar ke to bataa sakte the."

"Natasha kuch jaruri kaam aa gya tha isliye mujhe kanika ke sath nikala pada. Warna main tumse mil kar jata. Rahi baat phone karne ki to kanika ki tabiyat thoda kharab ho gaya tha, is liye main tumhe phone kar paya." Nakul ne Natasha se baato chhupate hue bola. Nakul nahi chahta tha ki Natasha bhi unhe le kar pareshan ho jaye. Natasha ye jaan kar ki kanika ki tabiyat thik na hone ke kar Nakul ne use phone nahi kar paya tha. Isliye Natasha ka gussa shant ho gaya tha par narazagi abhi barkara thi aur apni narazagi jahir karte hue boli, "Nakul tumne is bar bhi bina bataye chale gaye. Aur tumhara wade kya hua jo tumne mere sath kiya tha."

"Sorry dear, next time. Mera tumse vadaa raha." Nakul ne Natasha se maafi mangte hue kaha. Nakul ne use vadaa kiya tha ki wah uske sath pyar bhare kuch pal uske sath bitayega, jisme wah uske upar aur andar apne pyar se nahla dega. Par aisa na ho paya.

"Is baar to maaf kar rahi hu, kanika ke wajah se. Par koi nahi, jab agli bar miloge to main tum chhodugi nahi. Aur haan apna haak tumse le kar rahungi." Natasha ne kaha. Natasha ki baat sun kar Nakul hans diya aur Natasha bhi hans di

"Thik hai, jo mann mein aaye kar lena mere sath, main tumhein mana nahi karunga." Nakul apni muskaan ke sath Natasha se kaha. Bhale hi Natasha uske chehre par aaye muskaan ko nahi dekh sakti thi, par usko yakin tha ki Nakul dusare tarah muskura raha hoga.

"Thik hai. Kab tak aaoge." Natasha ne kaha.

"Jaldi hai, par kab tak kuch kah nahi sakta hu, Natasha ek kam karogi mera." Nakul ne kaha. Par apni akhari line kuch sochne ke baad nakul ne Natasha se kaha. Nakul ki baat sun kar boli, "Haan karungi bolo kya karna hai."

"Natasha hotels jitni bhi income hoti hai uska sara detail mujhe is [email protected] par bhejti rahna aur Reshma thakur jab bhi hotel mein us par nazar rakhna, us samay ki sari baat mujhe phone kar ke ya mail kar dena." Nakul ne kaha.

"Thik hai kar dungi. Dhyan se jana. Aur kanika bhi dhyan rakhna."

"Thik hai. Tum bhi apna dhyan rakhna. Aur kisi musibat mein mat pad jana." Nakul ne kaha Phir thodi der idhar udhar ki bate karne ke baad Nakul ne phone rakha diya. Jab Nakul ne time dekha to 4:30 baje rahe the subah se. Nakul kanika ko apni god mein se uska sir niche rakh diya bade aram se. Aur phir nakul khada ho kar fresh hone chala gaya. Wahi Natasha Nakul se baat karne ke baad khush ho gayi thi. Aur phir apne room mein ja kar aram karne lagi, jo hotel mein use ke liye allow kiya tha.
.
.
.
.


Subah 6:00 baje station pe train ruk gayi. Train is station par 20 minute tak rukne wali thi. Nakul ne sacha kuch khane ke liye le aaye, tabhi TT uske cabin mein aa gaya kar aur ticket manga. Nakul ticket de diya, check karne ke liye. TT ticket check kar ke nakul ko wapas kar diya. Jaise TT jane laga, Nakul TT se pucha, "Ye kaunsa station hai."

"Ye Yogipura hai. 15 20 minutes yahan par train rukegi. Aap chahe to kuch kharid kar kha sakte hai." TT ne kaha aur phir waha se chala gaya apne kaam karne. Nakul ne Kanika jaga diya aur fresh hone ke liye kaha. Kanika uth kar fresh hone chali gayi. Nakul train se utar kar apne aur kanika ke liye coffee aur kuch khane ka le aaya. Jab Nakul train aaya aur apne compartment mein dakhil hua to kanika aa gayi thi aur apne kapde badal chuki thi. Phir nakul aur kanika ne coffee aur khaya, jo Nakul le kar aaya. Train 10 minutes ke baad next station par ja kar ruk gayi.
Phir nakul aur kanika station par utar gaye.

Phir dono station se bhar nikale aur waha se taxi le kar sidhe apne gaon ki aur chale diye. Ghar pahuhne mein 2:30 hrs ka samay laga dono ko. Ghar par jaise taxi ruki Kanika utar ghar ke andar daud gayi. Nakul ne taxi driver ko paise de kar vida kar diya. Phir Nakul apna aur kanika ke bag le liye aur ghar ke andar chali gaya.


Kanika ghar ke andar dakhil hote hu apne papa ko aawaz lagte hue sare ghar mein dhund ne lagi. Par kanika ko Anubhav kahi nahi dikha. Phir woh sofe pe baith kar rone lag gayi. Nakul jab ghar ke andar aaya aur dekha ki kanika ro rahi thi.

"Kya hua ro kyu rahi ho sab thik to hai na." Kanika ko gale lagne ke baad Nakul ne use kaha. Kanika bhi apne aapko Nakul ke bahon par par aur tez rone lagi. "Shant ho jao kanika. Ye baatao tum ro kyu rahi ho?"

"Nakul papa kahi dikhai nahi de rahe. Kahi un logo ne papa ko kuch kar to nahi diya." Kanika itna kahne ke baad rone lagi ek bar phir se. Nakul kanika ko shant karte hue bola, "Mujhe nahi lagta hai ki uncle ko kuch bhi hua ho. Kya tum ne sare room ko achhi tarah se check kiya?"

"Haan maine sare room achhi tarah se check kar liya hai. Par wo wahan par nahi the." Kanika rote hi ja rahi thi. Ye baat bhi rote hue boli thi.

"Pahle tum shant ho jaao aur ye rona band karo. Main kaha na unhe kuch nahi hoga." Nakul ne kanika ko samjhate hue kaha. Nakul baat ka vishwas kar kanika shant aur rona band kar diya. "Ab ye baatao kya tum ne lab ko bhi check kar liya." Itna sunte hi Kanika nakul bahon se alag ho kar khadi ho gayi aur lab ki taraf daud gayi. Nakul bhi uske piche ho liya aur jab lab mein dakhil hua to dekha ki Dr Anubhav kisi kaam me lage hue the. Aur kanika unse thode dur par khadi hui unhe dekh rahi thi.

"Kanika jaao mil lo apne papa se wo dekho kaam kar rahe the." Nakul ne kanika ke kandhe par hath rakhte hue kaha. Nakul ki baat sun wah uski taraf mud aur aage badh gayi. Aur unke gale lag kar rone lagi.

"Kya baat hai beta? tum ro kyu rahi ho? Mujhe kuch nahi hua hai. Dekho mujhe aur batao mujhe kuch hua hai kya?" Dr Anubhav ghose ne apni beti ke sir par pyar se hath ferate hue kah rahe the. Kanika to bas roye ja rahi thi. Nakul aage badha aur bola, "Uncle wo log kaun the jinhone aap pe hamla kiya."

"Unhein chodo. Aur kanika beta tum rona band karo. Mujhe tumhara ye rota hua chehra bilkul achha nahi lagta. Aur Nakul DMC to le aaye. Aur ab aage kya karna hai." Nakul ki baat ko bich mein hi roka aur kanika ko shant hone ke liye bol, aage ki baat kahi thi Nakul se.

"Uncle main ne aage padhne ka socha hai. Aur main kanika ko bhi bata diya hai ki main kaunsa stream lene chanta hu." Nakul ne kaha. Kanika ab shant ho gayi thi aur apne papa se alag ho kar khadi ho gayi thi. "Uncle ham upar chal kar baat karte hai." Phir teeno hi upar chale aaye aur phir sabhi sofe par baith gaye.


"Nakul ye to bahut achha socha tumne. Aur tumhare bhavishya ke liye thik hai. Kya tum mera ek kaam karoge ya kahna manoge." Anubhav ghose ne suru ki baat ek muskaan ke sath kahi thi, wahi aakhir ki thoda serious hote hue.

"Haan uncle karunga, aap boliye kya kaam karna hai." Nakul bhi Anubhav ko serious hote hue dekh, wah bhi serious ho gaya tha aur phir apni baat kahi. Anubhav ghose Nakul ki aur dekhte hue bole, "Kya tum meri beti se shadi karoge."
 
Last edited:
Member
385
188
43
update 15

ab tak

Uske baad nakul kanika ko le kar railway platfrom jata h. Phir kanika ko ek jagah khara kar ke ticket counter pr jata h waha se ticket leta h aur kanika ke pas aata h aur waha se kanika ko le kar train m baith jata h.

ab aage
kanika_nakul papa ke sath kuch hoga to nahi. mujhe bahut dar lag raha h.
Nakul_ kuch nahi hoga kanika tum bhagwan pe bas bharosa rakho.
kanika_bhagwan kare aisa hi ho,
Nakul_ kanika tum thode der aram kar lo subah se hi tum mere sath travelled kar rahi ho.
Kanika_ nakul mujhe aram karne ka man nahi kar raha h. Mujhe to papa ko le kar tention ho rahi h kahi kuch unke sath kuch hua na ho.
Nakul_ kanika tum aise bure vichaar apne man m mat lao. Ok ab tum meri god m sar rakh kar aram kar lo.
Kanika_ thik h
Uske baad kanika nakul ke god m apna sar rakh kar aram karne lagti h aise hi aram karte karte kanika ko nind aa jati h. Nakul time dekhta h to raat ke 2:30 baj rahe hote h. Wo bhi sochta h ki thode der aram kar le par usi samay Natash ka phone aa jata h. Nakul phone pick karta h
Nakul_hello
Natasha_ nakul kaha ho abhi tak hotal kyu nahi pahuche
Nakul_ natasha kuch jaruri kaam aa gya tha isliye mujhe gaon ana pda.
Natasha_ nakul tumne is bar bhi bina paraye chale gye. Aur tumhara wade kya hua jo tumne mere sath kiya tha.
Nakul_ sorry dear, next time,
Natasha_ koi nahi, jab agli bar miloge to main tum chhodugi nahi.
Nakul_ thik h jo main m aaye kar lena main tumhein mana nahi karunga, ok
Natasha_ thik h. Kab tak aaoge .
Nakul_ jaldi h pr kuch kah nahi sakta hu, natasha ek kam karogi mera.
Natasha _ han karungi bolo kya karna h.
Nakul_ natasha ke tum mera jo saman hotal ke room m rah gya h use apne pas rakh lena aur hotal m jo kuch bhi ho uska dhayan rakhna. Agar koi aisi baat hoto mujhe khabar kar dena, Ok
Natasha_ thik h kar dungi. Dhyan se jana
Nakul_ thik h. Phir thodi der idhar udhar ki bate karne lagte h, jab time dekhta h to 4:30 baje rahe the subah ke. Natasha ab tum aram kar lo subah ho chuki h.
Uske baad nakul phone cut kar deta h aur khud bhi aram karne lagta h.

Subah 6:00 baje station pe train rukti h. TT aa kar nakul ko jagta h, aur ticket magta h. Nakul ticket deta h check karne ke liye. TT ticket check kar ke nakul ko wapas de deta h. Jaise TT jane lagta h nakul TT se puchta h ye kaisa station h TT kahta h ye Yogipura h.
Phir nakul aur kanika waha se station p utar jate h.

Phir waha se taxi le kar sidhe apne gaon ki aur chale jate h waha pahuhne m 2:30 hrs ka samay lagta h. Jaise hi gaon pahuchte h. Taxi driver ko paise de kar. Wo dono age bad jate h. Abhi wo kuch dur gaye the ki gaon ka hi ke aadmi aata hua dikhai deta h. Kanika ko dekh kar wo admi apni bike rok leta h. Kanika se kahta h.
Admi_ beti kaha se aa rahi ho.
Kanika_ kisi kaam se sahar gyi hui thi wahi se aa rahi hu.
Admi_ ye ladka kaun h pahle to nahi dekha.
Kanika_ ye mera friend h. Uncle kya aap mujhe aur mere frnd ko mere ghar tak chhod dege.
Admi_ kyu nahi beti jarur chod dunga. Aao baith jao.

Phir kanika aur nakul us bike p baith jate h, kuch hi der m kanika ko uske ghar pe chod ke chal. Jata h.
Kanika daudte hue ghar ke andar jati h, papa aap kaha ho chilte hue sare ghar m dhund ne lagti h. Par use kahi nahi dikhai dete h. Phir wo sofe m baith kar rone lagti h. Nakul jab ghar ke andar aata h to dekhta h ki kanika ro rahi hoti h.
Nakul _ kya hua ro kyu rahi ho sb thik to h na.
Kanika_ nakul papa kahi dikhai nahi de rahe kahi un logo ne papa ko kuch kar to nahi diya.
Nakul_ mujhe nahi lgta h ki uncle ko kuch v hua ho, kya tum ne sare room ko achhi tarah se check kar lia.
Kanika _ han maine sare room achhi tarah se check kar liya h.
Nakul_ kya tum ne lab ko bhi check kar liya.
Kanika _ nahi main ne to waha dekha hi nahi.
Nakul_ to chalo chal kar dekhte h. Uncle wahi hoge.
Phir main kanika ko le kar lab m jata hua jaha Dr. Anubhav kisi kaam me lage hue the.
Kanika_ jab apne papa ko dekhti h to unke gale lag kar rone lagti h.
Anubhav_ kya baat h beta ro kyu rahi ho, mujhe kuch nahi hua h,
Nakul_ uncle wo log kaun the jinhone aap pe hamla kiya.
Anubhav _ unhein chodo ye batao tumhara kaam hua ki nahi.
Nakul_ uncle kaam to ho gya h,
Anubhav_ nakul ye to bahut achha hua. Kya tum mera ek kaam karoge.
Nakul _ han uncle karunga boliye kya kaam h.
Anubhav _ kya tum meri beti se shadi karoge.
 

Top