Update 65
Kuch der Payal aur Chandrika devi ki baten chalti rahi... Payal ne Drish ke bahar bhejne par sawal bhi ki .. To Chandrika devi majakiya andaz me kahne lagi...
"Iski joru kah kar nikli thi apne ghar se .. Aap ko baat samjh me nahi aayegi.... Bas aati he hogi abhi wo bhi ... Usse to kuch jyade achhe se samjhana hai ... Kyonki uss bhole se Drish ko iss sharti ladki ne pata nahi kyon itne dino tak tarpayi.....
Idhar Jo ka kya karna hai iski zimmedari Hasan aur Saurav par chhor kar hospital se hawa hui Ashk..... Dil me anginat tamanna aur chehre par dher sare bhaw .... Iss waqt to uske bacground me sangit bhi baj raha tha...
Aaj madhosh hua jaye re, Mera mann, mera mann, mera mann
Bina hi baat muskuraye re, Mera mann, mera mann, mera mann
Aaj madhosh hua jaye re.....
Rom rom bahe sur dhara, Ang ang baje shehnayi
Jeevan saara mila ek pal mein, Jaane kaisi ghadi yeh aayi
Chhu liya aaj maine saara gagan ho, Naache mann aaj mora chhum chhanan ho
Aaj madhosh hua jaye re, Mera mann, mera mann, mera mann
Aaj to bas Drish se milne, apni tarap batane aur uske sath jine-marne ke kiye nikal pari thi. Rah-rah kar jaise ander armaan bekabu ho rahe the. Aisa lag raha tha sine ke ander kuch gud-guda raha hai.... Hasti-gati geet gun-gunati Ashk pahunchi Aakash ke ghar....
Jhatke se hall me kadam rakhi aur kadam ek dum se ruk gaye..... Samne he Payal aur Chandrika devi dono batem kar rahi thi......
"Ye mamma yahan kya kar rahi hai, batayi bhi nahi yahan aa rahu hai.... Pata hota to Drish ko he phone kar ke bula leti"... Gate par khadey ho kar he Ashk ye sab soch rahi thi ... Tabhi Payal usse awaz deti bula li....
Ashk un dono ke pass pahunchte he apni maa se kahne lagi..... "Aap yahan kya kar rahi hain"
Chandrika devi.... Tum yahan kya kar rahi ho....
Aahk.... Main Drish se milne aayi thi, usse thanks kahne aur uss se notes lene ....
Payal.... Lekin chhotu to yahan nahi hai....
Aahk.... To kahan gaya hai Drish
Payal.... Koi kirti hai uske college me ussi ke sath kahin gaya hai.... Bol raha tha raat tak aayega...
Ashk.... Kyaaaa ???????
Chandrika devi... Tujhe kya hua, isme chaukne jaisa kya tha...
Ashk.... Kuch nahi mamma.... Thik hai bhabhi chalti hun...
Kitne armaan dil me sajaye the Ashk ne, lekin yahan aa kar to ek he pal me jal gaye armaan. Uski soorat rone jaise ho gayi thi, aur aankhen aanshuon se dabdaba gayi.... Wo aankhon me askon ko kisi tarah smet idhar udhar dekhti apni baat kahi, aur jaldi se piche mur kar bahar jane lagi....
Payal ko bahut bura laga.... Wo minnat bhare najron se Chandrika devi ki ore dekhne lagi... Chandrika devi samajh gayi ki Payal ab iss khel ko khatam karna chah rahi hai, par hatho ke ishare se usse shant baithne ko kahi.....
Jab Ashk chali gayi tab Payal sikayat bhare sabdon me kahne lagi.... "Rula diya na bechari ko, itna bhi tarpana kisi ko thik nahi"...
Chandrika devi.... Rona to uska main bhi nahi dekh sakti, lekin thoda dard usse bhi utha lene de. Jabtak khone ka dar nahi hoga, pane ka maza nahi aayega... Main bhi chalti hun... Aaj lado ko samay de dun... Aur haan jitna kaha hai utna karna ....
Payal "haan" me sir hilati chup-chap baat maan li Chandrika devi ka. Idhar Ashk jaldi se ghar lauti, uske aanshu the ki thamne ka naam he nahi le rahe the... Hichkiyan le kar bas khud se itna he kah rahi thi .... "Meri galti hai, mujhe manph kar do Drish par laut aao"....
Phone band rahe to kam se kam tasalli rahti hai, lekin wahi jab phone chalu rahe aur call ki koi partikirya na aaye to najar andaz karne jaisa lagta hai. Drsih iss waqt wahi kar raha tha Ashk ko najar andaz, aur ye nazar andaz karne jaise jab kisi ko mehsus hota hai dil me aag si lag jati hai. Lagatar call par call laga rahi thi, par uss call ka koi respond na aane se uski bechaini aur badh'ti he ja rahi thi.
Chandrika devi jaise he ghar pahunchi, chup-chap Ashk ko dekhne uske kamre ke darwaje tak gayi... Wo ro rahi thi.... Chandrika devi darwaje se pichhe hati... Aur Ashk ko aawaz deti uske kamkamre ki ore badh gayi. Ashk ne jaldi se apne aanshu pochhe, aur shant ho kar baith gayi... Chandrika devi uske kamre me aati he kahne lagi....
"Sanivar aur Raviwar, Aakash ne ghumne ka plan banaya hai... Sab packing kar lena kal hum sub ghumne jayenge."
Ashk ko iss pal to kuch bhi achha nahi lag raha tha, lekin apni maa ki baat par "haan" me sir hilati raji ho gayi... Dil me khyal aaya..... "Kal Drish to sath he hoga... Phir uss se baat kar lungi... Par yadi wo na mana to". Khone ka dar bhi kitne khyalat mann me le aate hain....
Agle din subah-subah, Ashk aur Chandrika devi taiayar ho kar Intzar me the. Ashk ke aankhon ke niche ki silwaten bata rahi thi ki wo raat bhar soyi nahi hai. Drish ke khone ka dar ab pura uske dil me baith chuka tha aur puri raat Ashk phone lagati rahi, lekin Drish ne phone nahi uthaya.
Subah se he Ashk taiyar ho kar balcony me khari thi. Drish ki ek jhalak pane ke liye na jane kab se tarap rahi thi... Uss se baat karne ke liye vyakul ho rahi thi... Subah bhi kayi call laga chuki thi, par koi respond nahi.... Rah-rah kar Ashk ke mann me bas yahi khyal aa raha tha....
"Aisa to nahi hai ki tumne mera call dekha nahi hoga Drish, phir bhi kyon jaan bujh kar nahi utha rahe phone... Please ek baar baat to kar lo, main sab samjha dungi.... Par mujhe aise najar andaz kyon kar rahe ho.... Kyon-kyon-kyon"....
"Kal to mere liye aaye bhi the, phir uske baad aisa kya ho gaya... Kuch to batao, kuch batoge nahi to main kaise samjhun ki kya ho gaya.... Sath nahi aane ko kaha iss baat se naraj ho, ya phir Kirti".......
Contact ho kar bhi contact na kar pana. Khud ko najar andaz kiya jana... Ye ek aisi feeling hai jisme armaan sisak kar rah jate hain, marne jaisi haalat hoti hai par mar bhi nahi sakte kyonki unse baat karne ka jarya abhi hai, aur ek raham ki aas dil me hoti hai.... Ab kahin baat ho jaye.
Azib si kas m kas hoti hai. Mann maan leta hai, ab usse meri koi parwah nahi, par dil samjhne ko taiyar nahi... Wo to rah-rah kar bas yahi kahta hai..... "Sirf ek baar baat to kar lo"... Ehsaason ke ek bure daur se gaujar rahi thi Ashk
Aakash ki car jab aprtment ke campus ke ander aayi tab Drish ko dekhne ke khyal se ek pyari si muskaan Ashk ke chehre par bhi aayi. Car ka gate khula.... Aakash aur Payal bahar aaye..... Najren didar ko tak-taki lagaye, ab Drish bhi dikhega par car se kewal wahi dono nikle, Drish to nikla he nahi.
Wo Drish ko car se utrne ka intzar he karti rah gayi, idhar tab-tak dono upar bhi chale aaye... Chandrika devi Ashk ko aawaj deti kahne lagi..... "Chal lado, ab kya wahin khari rahegi".
Mayusi phir se Ashk ke chehre par aa gayi thi ..... "Kitna rula rahe ho mujhe duffer, satane me mujhe achha lagta hai tumhe. Dekh sako to dekh lo, tumhari Ashk ro rahi hai".... Apne aanshu pochhti Ashk wahan se aayi....
Payal ne jab usse dekha to wo chauk gayi........ "Ye kya haal bana rakha hai Ashk, tum royi thi"
Payal ki baat jaise dil chir gayi ho, tarpte armano ko hawa de gayi jaise. Lekin khud par kabu rakhti Ashk kahne lagi..... "Nahi bhabhi royi nahi, kal raat so nahi payi"
Payal.... Par lado tum soyi kyon nahi....
Ashk.... Kuch nahi bahut dino se padhi nahi. Isliye kal raat bhar padhti rah gayi...
Payal.... Lado padhna jaroori hai, par swasthy kharab ho jayega to kharab haalat me kaise padhogi.. Dono ko balance karo. Aaram karna bhi jaroori hai. Dekho kaise murjhaya hai chehra...
Ashk..... Sorry bhabhi, aage se dhyan rakhungi... Lekin ye Drish kahan hai, nahi aaya...
Aakash.... Nahi, wo humare sath nahi aa payega... Darasal ya to Drish aa sakta tha ya main. Ghar me kuch fencing aur renovation hona tha aaj to, mujhe rukna tha. Pahle maine mana kar diya aur Drish ko kaha sab ko ghuma laye. Lekin Payal ki jid aap nahi jaoge to main bhi nahi jaungi.... To Drish ruk gaya.
Chandrika devi.... Ab chalo bhi, bahut din ho gaye mujhe bhi ghume huye, aaj kai barshon baad main bhi kahin ghumne jaungi... Thanks beta ye sab plan kar ne ke liye....
Aakash.... Kya maa aap thanks na kaho, ye sab to maine waise Ashk ke liye plan kiya hai. Kaam ki wajah se kisi ko samay he nahi de paya... To uss din Ashk ne he mujhe ye idea diya, phir kya tha maine bhi plan kar liya.
Chandrika devi.... Thik hai samjh gayi sab apni bahan ke liye kiye.... Ab tu kya khari-khari soch rahi hai lado, chal bag le aa chalna nahi hai kya...
Ashk chup-chap ander ja kar bag le aayi aur khud me he khoyi-khoyi ja kar chup-chap car me baith gayi... Do din aur ab nahi mil payegi, "do din aur"... Soch-soch kar ander se Ashk ro rahi thi......