Update 78
Abhi sab ki baten he chal rahi thi ki kayi gariyan syann-saynn karti Aakash ke ghar ruki... Hathiyarband log daute huye hall me ghuse.... Sab log shant ho gaye.... Aur ussi shanti me ... Phir farsh par ek kadmon ki thap sunayi dene lagi.... Khat-khat.... Khat-khat.....
Awaz ke sath chehra bhi clear ho gaya... Ye Parmar sahab the, jo Aakash ki shadi ki baat karne pahunche the, aur sath me unki puri nautanki team. Payal ne jaise he Parmar sahab ko dekhi uske paun chhu li.
Aakash gusse me aankhen dikhate huye Parmar se kahne laga.... "You full, ye mera ghar hai, jung ka maidan nahi jo sab ko yahan le aaye, iss tarah se aane ka matlab"....
Tabtak gate se Saban aur Amme bhi ander aa chuke the... Payal, Aakash se kahne lagi.... "Aap apne boss se aise baat karte hain"
Payal ki baat sun kar Amme aur Sawan dono hasne lage.... Amme, Payal se kahne lagi.... "Yahan to ek he boss hai Payal, Aakash boss" ...
Aakash.... Amme, chhoro in sab baton ko, pahle ye batao ghar par sab ke aise aane ka matlab...
Parmar.... Aakash sir, tum se samjhdar to tumhari patni hai, kitna respect karti hain mera... Ek aap ho ki jali kati suna rahe ho.... Le aao re pahle un sab ko...
Parmar ke ishare hote he kuch log gaye aur Amrit Shiwalkar, sath me uski beti aur uski patni sab ko hall me le aaye... Aakash ne jaise he un sab ko dekha samjh gaya mamla kya hai ...
Parmar.... Aakash sir koi humari family ko target kare, to kya hum uski family ko chhor denge, fir chahe wo koi bhi ho.... Kyon ye aap he kahte the na.... Ye dekho puri family ko utha laya....
Aakash..... "Parmar ye sab kya hai, kholo Inhe".... Aur Amrit ki patni ke samne hath jor kar kahne laga.... "Hume manpf kar dijiye, aap ko Parmar ki wajah se itni taklif uthani pari... Payal tum sab ko lekar upar jao hum thoda baith kar baten kar len".
Payal.... Nahi main nahi jaungi.... Aisi kya baat hai jo mere samne nahi ho sakti....
Aakash..... Had hai Payal... Please ab jao bhi.... Aur inhe bhi apne sath le jao.... (Amrit shiwalkar ki patni aur beti ki ore ishara karte huye kahne laga)
Wahan se sab koi upar aa gaye.... Payal, Drish, Ashk, Arjun... Aur Amrit shivalker ka pura pariwar. Niche Aakash dusmni ki pench suljhana shuru kar raha tha aur upar ab Arjun ki uljhi pench par sawal jabaw ka daur shuru ho chuka tha...
Parmar ki beti aur koi nahi balki Disha he thi jo college me mili thi. Drish aur Ashk ko kuch-kuch baat samjh me aa gayi thi ki Disha ko le kar he Arjun bhai phase .... Phir bhi Drish, Payal se kahne laga....
"Di, ye jo ladki hai na Arjun bhai uss se pyar karte hain, aur ye ladki bhi Arjun bhai se pyar karti hai"
Sab upar pahunche he the, aur baith kar mahol ko samjhne ki kosis kar he rahe the, tabhi Drish ne achanak se ye baat kah diya.... Drish ke aisa kahte he, Arjun usse ghurne laga.... Disha to aise dekh rahi thi jaise kacha chabane ko taiyar ho... Aur Drish ki baat sun kar Disha ki maa bas apne beti ko he ghur rahi thi....
Ashk bhi apne sir par hath marti sochne lagi... "Jaan bhi na, yun dekho to baat bhi nahi karte, par pata na inke dimag ke entina ko kabhi-kabhi kya ho jata hai, botey hain to bomb he phor dete hain"
Filhaal to Drish ke bolne ke baad mahol shant tha, lekin iss shanti ko bhang karti Disha ki maa Rajni Shivalkar kahne lagi apni beti se...... "Disha, ye ladka kya kah raha hai, tu kya janti nahi apne baba ko"
Disha.... Aai, main nahi pyar karti Arjun ko, bas wo mera dost hai....
Disha ki baat sun kar Drish to jaise chaukte huye dekhne laga.... Uske dimag me lab ki puri scene jaise ek baar samne chali aayi ho... Aur jhatke ke sath apna sir hilane laga....
Rajni.... Apni maa se jhoot bolti hai, Beta tumne jo abhi kaha wo kis aadhar par kaha jarra bataoge...
Payal.... Ek min aunty ji, main jara Arjun ki khabar le lun ... Iske mann me kya hai... Phir Chhotu to hai he. Arjun ye Chhotu jo kah raha hai wo sahi kah raha hai na....
Arjun..... Sara sar galat hai didi, gawn ka gawar hai ye to... Hum dono ko sath kya dekh liya, isse laga pyar he karte hain....
Arjun ki baat sun kar Ashk bolne lag gayi..... "Arjun bhaiya, gawar kise bol rahe hain, wo hum sab se kaphi samjhdar hain. Nahi viswas hota to aadha ghanta pichhe ja kar sochiye, sab samjh me aa jayega....
Ashk ko bardast nahi hua Arjun ka yun sab ke samne gawar bolna aur bare gusse me tej-tej sansen leti apni baat suna di Arjun ko. Payal, Ashk ko shant karati Arjun se kahne lagi......
"Kuch bhi mat bol Arjun, chhotu jhoot nahi bol sakta. Aur khabrdar jo Chhotu ko gawar kaha to... Chhotu ab tu he bata kyon aisa kaha ki dono pyar karte hain".
Ab teen logon ki dharkane badh gayi.... Disha, Arjun aur Drish ki.... Un dono ki isliye kyonki kahin ye Drish lab ki hui baat na bata de, aur Drish ki dahrkne isliye badhi kyonki kya kahe ab sab ke samne .... Ki dono me pati patni jaise sambandh hain....
Arjun aur Disha dono Drish ki ore dekhte huye hath jor rahe the.... Drish bhi kya kare wo bhi chup he khara tha.... Uski chuppi par Ashk naraj hoti kahne lagi..... "Drish ab bolo bhi, ye maun vart kyon dharan kar liye".
Drish.... Ek mauka deta hun Arjun bhai aur Disha bhabhi aap ko... Khud kubool kar lo, main ab iss se jyada nahi bolunga.....
Arjun aur Disha ke sanson me sans aayi ho jaise.... Dono jor-jor se sir hilate kahne lage.... "Haan-haan hum ek dusre se pyar karte hain"
Arjun apne mann me sochta.... "Sala ye jyada utsukta ke chakkar me gale me ghanti par jayegi aisa lagta hai"
Idhar Disha bhi sochne lagi.... "Ye kya kar diya... Iss kamine Arjun ko to main chhorne nahi wali, iske chakkar me lagta hai meri shadi ho jayegi"
Payal, Rajni ko kahusi se gale lagati kahne lagi.... "Aap inke riste ki chinta kyon karti hain, Aakash hai na, wo sab sambhal lenge aur in dono ki shadi hum karwayenge.... Aap ki beti ne to pasand kar liya... Ab aap ki bari hai... Kya aap ko ye jamai chalega".
Rajni.... Chalega nahi daurega.....
Arjun aur Disha ne jab shadi ki baat suni to dono Drish ko ghurne lage mano aisa kahna chah rahe hain ... "Bahar milo tab batate hain tumhe"....
Idhar niche.... sab logon ke upar jate he Aakash, Amrit par baras para..... "Amrit shiwalkar, tumhe pata bhi hai aaj tumhe kis ki family par najar dali hai"
Amrit.... Aakash bhai mujhe pata nahi tha ye aap ki family hai, aur mamla mere bachon ka tha.... Beta mera hospital me para hai, aur usko marne walon ko wo ladka janta tha... Lekin bataya nahi aur chakma de kar bhag gaya... Aur uske sath wala jo uska bhai hai... Wo meri beti ko bahla fusla raha tha... Batao ye aap ki family ke sath hota to aap kya karte..... Aap to yahan sab ki samsya hal karte hai na....
Aakash.... "Suno Amrit..... tumhare bete ko mere sale ne he mara hai, kaun wala jan'na chahte ho... Wahi jo tum logon ko chakma de kar bhaga.... Aur sukr manao ki aaj uska dimag shant tha nahi to uske jalwe tum log bhi dekhte"....
Kya laga tumhe... Tumhara beta kuch bhi karega aur koi usse kuch nahi kahega.... Usne kuch din pahle humre ghar ki ladki ke sath ** ki kosis kiya tha... Tum samjh rahe ho iska anjaam ... Ja kar sambhalo apne ladkey ko... Warna dobara agar najar bhi dala to phir wo kisi se najren milane ke kabil nahi rahega.... Aur rahi baat tumhari beti ki to yadi tumhari baat me sachai hogi to main shadi karwa dunga dono ki.... Bolo manjur hai humare ghar me rista....
Amrit.... Aap ke ghar ka rista hai Aakash bhai... Ab main kaise mana kar sakta hun....
Aakash..... Haan lekin apne bete ko sambhalo Amrit warna risteri ek tarapf ... Main usse bakshne wala nahi...
Amrit hath jor kar kahne laga.... "Uski tarapf se main manfi mangta hun, aap befikr rahiye Aakash bhai main usse achhe se samjha dunga... Aur muh to mitha karaeye.... Dono bachon ki shadi ki khushi me"....
Parmar ne turant mithai ki waywstha karai.... Aur sath me dhol pitne laga.... Upar Payal aur Rajni ne Arjun aur Disha ko bandhan me bandhne ki majoori de di, aur niche Aakash aur Amrit ne .... Dhol bajne lage ... Sab log bahar aa kar niche haal me jhakne lage....
Aakash, Payal ko dekhte kahne laga..... "Sweetheart Arjun ki shadi tay kar diya hun tum sab se bina puche koi paresani to nahi".
Amrit bhi apni patni se kahne laga.... Suno maine Disha ki shadi ki tay kar di hai... Tum ladies log baith kar aage ki din, rasmen waigrah tay kar lo....
Upar se Rajni aur Payal bhi bol di, aap ne udhar manjoori de diye, humne upar dono ko bitha kar puchha... Dono ek dusre ko pasand karte hain.... Idhar Arjun aur Disha ka haal wahi dono jante the.... Dono ke bich ka sambandh... Pyar to nahi he tha... Par wasna ne sayad bandhan me bandh diya.... Dono bas ek dusre ko kos rahe the... Aur Drish ko he ghur rahe the......