Incest LAAL ISHQ - SAFAR BHAI BEHEN KA [INCEST, ROMANCE, ACTION, THRILLER]

315
395
63

Chapter 3 - Qaatil

Update 9 (Final Update)


Mega Update



Word Count: 7160
Estimated Reading Time: 00:35:00





Kaam se thak haar kar Sakshi ghar pe aram se bethi hui thi, usne kuch der desh duniya ki khabre dekhne ki soch li, or News Channel on kar diya. Kuch news ke baad TV par ek news flash hone lagi ke Bharat ka ek rocket launch jo ke ek Observatory Satellite dharti ke bahar le jane wala tha, uska failure ho gaya he. Lekin pata nahi kyu ye Satellite shabd Sakshi ke dimag ko hit kar gaya. Kuch der takk sochne ke baad Sakshi ke chehre par bahot hi zyada khushi cha gayi. Sakshi ne sabse pehle kal subah Banglore jane ki Air Tickets book kar li, jaha desh ki space agency located thi.


Dusri taraf Shahid lagadar Abdul ko contact karne ki koshish me tha, lekin uska phone switch off tha.

Shahid: Aksh, Mamu ka call nahi lagg raha he abtak.....
Aksh: shayad Rana ke diye kaam me busy ho.....
Shahid: lekin me kal raat se unhe call kar raha hu, tabse unka phone band hi he..... Kahi kuch....
Aksh: Nahi..... Aisa kuch nahi hua hoga.... Kya tum kisi ko jante ho Rana ki Gang se, jise Abdul ki khabar ho?
Shahid: nahi Aksh.... Yahi to dikkat he. Aisa koi rasta nahi he, jis se hum Mamu ka pata laga paye....
Aksh: humare paas ab intezar karne ke ilawa or koi chara nahi he.....
Shahid: shayad tum thik keh rahe ho.....

Or fir waha sab apne apne kamo me lagg gaye, Aksh ne jakar diwar pe lage us calendar par aaj ki tarikh ko cross kar diya. Or bass aakho me gussa liye waha khada raha.


Waha CBI Headquarter me Anant or Sana apas me baate kar rahe the.

Sana: btw sir aaj Sakshi dikhayi nahi di.....
Anant: ha uska call aya tha, wo kuch kaam se ja rahi thi to wo 2 din nahi ayegi....
Sana: ohh... Thik he...
Anant: or Sakshi par dhyan rakhna, use ab kuch waqt takk Aksh se dur rakhna hoga.... Usdin Aksh ki aakho me jo mene dekha, us se saaf zahir hota he ke wo apna badla pura karne ke liye kisi bhi hadd takk gir sakta he, kisi bhi hadd takk....
Sana: to sir kya hum Aksh ko.....
Anant: nahi, Aksh ko chhodna nahi he.... Is baar puri tayari ke saath Aksh ko pakadna he, or use uske kiye ki saza deni he..... Or uski saza sirf ek hi ho sakti he.... Faasi.....
Sana: lekin mujhe Sakshi ki fikar ho rahi he.... Jab use is baat ka pata chalega ke Aksh ko uske kiye ki saza milegi hi milegi tabb.....
Anant: us se hume koi lena dena nahi hoga.... Agar Sakshi sacchayi jaan ne ke baad bhi Aksh ko saza dilwane ke khilaf hogi, to majburan hume uspar bhi karwahi karni hogi.... Or ha Sana, mere hisab se Aksh ki Court me 2 baar peshi hogi, pehli peshi me shayad Aksh ko saza ki sunwahi nahi ho... Lekin dusri peshi me Aksh ko fasi dene ke order mil jayenge.... Tabtak hume Sakshi ko yahi samjhana hoga ke hum Aksh ko bachane ke liye hi ye sab kar rahe he....
Sana: Okay Sir... Me samajh gayi.....

Fir Sana apne kaam me lagg jati he, or yaha Anant bass kuch soch me doob jata he.


Waha Sakshi Bharat Ki Space Agency me pahoch gayi thi. Darasal Sakshi ne Qaatil takk pahochne ka ek behtarin idea dhund nikala tha. Usne Earth ki Observatory Satellite ki help se us jagah ki 3D image lene ki sochi thi jaha use lagg raha tha ke Qaatil chupa hua he. Darasal ye Satellite kisi bhi jagah ko scan kar ke waha ki surface ko 3D me show kar sakti thi, Darasal jis jagah par Sakshi ko doubt tha, wo jagah pedo or jhadiyo se bhari hui thi, or use normal Satellite Images se parakh pana namumkin tha. Or ye Satellite aise hi jagao ko 3D Image me pedi ko hatakar show karti thi. Sakshi ke kehne par waha mojud scientist ne us area ko scan kar diya, or kuch der baad Safelite ne us jagah ko scan kat liya tha. Sakshi ne us area ki 3D image Pendrive me le li or waha se firse Surat ane ke liye nikal gayi.

Darasal us jagah ki 3D image bhi kafi badi thi, ab Sakshi ko us puri jagah ko bariki se dekhna tha, jisme uska kafi samay lagne wala tha. Ghar akar Sakshi bina der kiye us image ko examine karne me lagg gayi, use to ab na hi bhuk ki fikar thi na hi pyas ki, uska to ab ek hi maksad tha, or wo tha Qaatil ko dhund na. Ye kaam karte hue Sakshi ko ab raat ho gayi thi, Sakshi ab kafi thakk chuki thi. Sakshi ne 3D image ka kuch hissa bariki se dekh liya tha, lekin waha use kuch hasil nahi hua, ab baki bacha kaam use kal karna tha. Isliye wo jakar so jati he.


Dusre din ka suraj bhi Nikal aya tha, lekin Aksh or Shahid ko Abdul ka koi ata pata nahi tha.

Shahid: mujhe lagta he zarur kuch gadbad he..... Warna mamu is tarah bina humare touch me itne waqt takk nahi reh sakte....
Aksh: thik kaha tumne.... I think hume bahar ja kar Abdul ke bare me pata karna hoga....
Shahid: me bhi wahi soch raha tha....
Aksh: sabko bata do tayar rehne ke liye.....
Fir Shahid baki logo ko jakar bata deta he, or kuch der baad sablog tayar ho chuke the. Halaki unhe nahi pata tha wo Abdul ko kaha or kese dhund payenge.

Khair, sablog bilkul tayar the, lekin Aksh ki halat kuch thik si nahi lagg rahi thi, uske chehre par kafi thakan thi, jo Shahid ne dekh liya tha.

Shahid: Aksh, kya hua? Tum thik ho na?
Aksh: ha.... Kuch nahi, bass.... Bass.... Nahi me thik hu, chalo nikalte he....
Shahid: Aksh tumhari tabiyat kuch thik nahi lagg rahi....
Aksh: aisi baat nahi he.... Bass thodi kamzori lagg rahi he...
Shahid: ek kaam karo, tum yahi raho... Humlog jakar Mamu ke bare me pata karte he...
Aksh: nahi me.....
Karl: Aksh.... Tumhe bukhar he....
Wo Aksh ke mathe par haath rakh kar kehta he.
Karl: tumhe aram karna chahiye.... Aram karne se bukhar chala jayega, agar tum bahar aye to bukhar zyada badh jayega....
Shahid: ha Aksh, tum yahi raho hum jate he....
Fir Aksh bhi wahi reh jata he, kyu ke use bhi kuch thik feel nahi ho raha tha. Shahid baki sabke saath Abdul ki khoj me nikal chuka tha. Ab dekhna ye he ke uske haath kuch lagg bhi pata he ya nahi.

Waha Sakshi Subah se Qaatil ki talash me lagi thi, lekin abtak use kuch bhi haath nahi laga, subah se sham ho chali thi, ab Sakshi kaam rokne hi wali hoti he ke uski nazar ek object par padti he, jo ki natural bilkul nahi lagg raha tha. Jab Sakshi ne us object par zoom kiya to wo bilkul ek ghar ki shape thi, jo dekh kar Sakshi ko yakeen nahi ho pa raha tha. Sakshi ise confirm karne ke liye Live Satellite Map dekhne lagi, jabb usne bilkul usi jagah ka Map dekha to use wah ek ghar mojud agaya. Sakshi ne Qaatil ke call ki Radio Frequencies ko lekar kuch calculation kar li, or use pata chala ke wo call bilkul usi jagah se tha. Ab Sakshi bahot zyada khush ho gayi.

Sakshi: Got It...... Akhir kar is Qaatil ka pata lagg hi gaya. Lekin..... Lekin ab aage? Is baar to Me to CBI ki help bhi nahi le sakti.... Nahi, mere Aksh ko bachane ke liye mujhe kisi ki bhi zarurat nahi he.... Bass ek baar me Aksh ko sahi salamat dekh lu, fir us Qaatil ko zinda nahi chhodungi..... aaj hi is Qaatil ka khel khatam kar dungi.....

Sakshi kafi gusse me apne aap se kehti he. Lekin ab wo is sacchayi ko jaan ne wali thi ke jis se wo itni nafrat kar rahi he, wo or koi nahi balki Aksh hi he.








Rana: ab aage ka kaam tumhare haath me he.....
Yaha Rana kisi ladki ke saath bethkar baate kar raha hota he.
Ladki: aap chinta na kare.... Sakshi ab meri dost hogi.... Lekin aap to in logo ko battar maut dena chahte the, or ab ye.....
Rana: kisi ko tadpana bhi kisi battar maut se kam nahi he.... Or ye to me ek teer do nishane wali kahawat ko azma raha hu....
Ladki: Matlab? Me kuch samjhi nahi....
Rana: is me na samajhne wali konsi baat he? Sakshi ko tadapta dekh uska bhai, Aksh bhi tadpega.... Or ek din aisa ajayega ke ye dono mujhse bhag naho payenge.... Uske baad un dono ko usi ped ke paas le jakar tukde tukde kar dunga.... Tukde tukde......
Ye sab kehte waqt Rana ki aakho me khoon sawar tha.
Ladki: me samajh gayi.... Ab aap sab mujhpar chhod dijiye.... Me ye kaam bakhubi karungi....
Rana: isi liye to tumhe chuna he mene Kriti......

To jo ladki Rana ke saath mojud thi, wo or koi nahi balki Rishi ki Girlfriend, Kriti thi. Ab Rana Kriti se konsa kaam karwana chahta tha, akhir uske dimag me kya chal raha tha, ye to bass wahi jane.


Khair, aise hi har kisi ka samay nikal raha tha, raat ke 10 baje hue the, Sakshi bass baar baar apni karvate badal rahi thi, use itni bechaini aaj se pehle kabhi nahi hui thi.

Sakshi: kya karu? Us Qaatil ko kese pakdu? Kyu ke uske saath uske kuch sathi bhi he... Or me akele.... Kya me Sana se baat karu? Nahi, wo bhi Anant sir ki permission ke bagair kuch nahi karne degi..... Ab jo bhi ho, Aksh aaj jis halat me he, uski zimmedar sirf me hu, or ab use is halat se bahar lane ki zimmedari bhi meri hi he.... Me aise waqt Barbad nahi kar sakti... Jo hoga dekha jayega..... Agar waha se zinda lotungi to Aksh ko apne saath lekar hi, warna meri jaan bhi chali jaye to mujhe koi gumm nahi he....

Or bass apne mann me Aksh ko wapis lane ka irada bana kar Sakshi waha jane ki tayari karne lagg jati he. Usne apni Handgun ke saath saath ek Automated Riffle bhi car me rakh li. Jese hi wo car ko start kar ke ghar ke bahar nikli, mosam ne is tarah se apna rup badla ke jese bass kisi bhi waqt wo dharti ko nasht kar de. Barish ki bunde aaj aam taur se kuch zyada hi tez thi, bijliya bhi har kuch Seconds me kadak rahi thi. Or aise mosam ke bawajud Sakshi tezi se gadi chala rahi thi, kuch der baad Sakshi us Jungle takk pahoch gayi. Usne ek baar socha ke andar dakhil hone se pehle wo ek baar CBI ko khabar kar de, kahi Sakshi ko firse zinda laut ane ka moka mile ya nahi, lekin CBI ko at least is jagah ki jankari ho, jis se wo Qaatil ko pakad sake. Sakshi sidhe Sana ko call kar deti he.

Sana: hi Sakshi....
Sakshi: hi....
Sana: kaha ho tum? Chutti khatam hui ya nahi tumhari?
Sakshi: ha.... Chutti to khatam ho gayi, or ab apne kaam par bhi lagg gayi me.
Wo kafi gambhir swaro me kehti he. Jo sunkar Sana kuch samajh nahi pati.
Sana: kya Matlab? Me kuch samjhi nahi.....
Sakshi: mene Qaatil ka pata dhund nikala he.....
Sana: what? Sakshi tum kya.....
Sakshi: thik suna.... Or me is waqt Qaatil ka khel khatam karne usi ki jagah ayi hu....
Uski baat sunkar Sana ke hosh hi udd gaye.
Sana: Sakshi.... Tumne... Tumne Sir se baat ki thi?
Sakshi: agar karti to wo mujhe permission nahi dete..... Or ye call bhi mene is wajah se kiya he kyu ke me nahi janti ke me zinda bach kar laut paungi ya nahi, isliye me chahti hu ke agar me yaha nahi bach payi to aap sab us Qaatil ko apne hatho se matt jane dena.
Sana: lekin Sakshi.......
Wo is se aage kuch kehti, ke tabhi Sakshi ne call cut kar diya. Or mobile silent kar ke apne raste chal padi. Sana ne Sakshi ko call karna bekar samjha, or jaldi se is sab ki khabar Anant ko dena chahi.

Anant: kya? Sana ye sab..... Sakshi ka waha jana khatre se khali nahi he.... Mene Aksh ki aakho me jo gussa dekha he...... Wo kuch bhi kar sakta he..... Or sabse badi baat, agar Sakshi or Aksh amne samne ajate he, to Aksh humare haath kabhi nahi ayega.... Tum jaldi se Sakshi ka mobile track karo or waha pahocho, me bhi Force lekar waha ajata hu....
Sana: okay sir.....

Fir wo sab Sakshi ki location ko track karte hue jane lagte he, darasal CBI me kaam kar rahe Officers ke mobile ko GPS dwara track kiya jata tha, jis se unhe kabhi koi dikkat face na karni pade. Waha Sana bhi puri tayari me nikal chuki thi, or wahi Anant bhi puri Force lekar nikal chuka tha.

Wahi dusri taraf is waqt Shahid ko Abdul ki jankari mil chuki thi, wo sabse pehle Aksh ko is bare me agah karna chahta tha, is liye wo Aksh ko call kar deta he.

Aksh: ha Shahid.... Kuch pata chala?
Shahid: bahot badi gadbad he Aksh.... Bahot badi gadbad.....
Wo darte hue Aksh se kehta he. Uski awaz se Aksh samajh gaya ke baat gambhir he.
Aksh: kya hua Shahid? Tum saaf saaf kaho baat kya he?
Shahid: Aksh bahot hi mushkil se mene Mamu ke saath hi kaam kar rahe ek aadmi ka contact dhund nikala, or kisi tarah us se Mamu ke bare me pucha.. or usne kaha ke Mamu Rana ke kisi zaruri kaam se Bhopal gaye he.....
Aksh: kya? Bhopal..... Or itne waqt se Abdul ka phone bhi band he, iska Matlab Rana ko sabkuch pata chal gaya he...
Shahid: mujhe bhi yahi lagg raha he.... Me sabke saath abhi Bhopal ke liye nikal raha hu, shayad hum waha Mamu ko dhund paye....
Aksh: Thik he.... Me bhi tum sabke saath chalta hu....
Shahid: tumhe ane ki zarurat nahi he.... Waise bhi tumhari tabiyat.....
Aksh: me ab thik hu, or ab baat kar ke waqt Barbad matt karo....
Shahid: okay.... Me ajata hu tumhe lene ke liye....
Aksh: thik he.....
Fir wo call kaat dete he. Shahid car tezi se dauda deta he. Ab use yaha ane me kuch hi waqt lagne wala tha, waha Aksh bilkul tayar tha.

Thodi der intezar karne ke baad Aksh ko bahar Headlights ki roshni dikhayi deti he, ab itne bure mosam me use kuch saaf saaf nahi dikh pa raha tha ke wo gadi kiski he. Aksh andar akar apna chehra kapde se bandh ne lagta he, waha bahar Sakshi ne gadi band kar di or Gun haath me liye car se utar kar Ghar ke paas jane lagi, usne paya ke darwaza khula hi he, Sakshi bahot alert thi usne Gun ko kass kar pakad liya or andar ate hi use samne Qaatil dusri taraf muh kare khada dikhayi diya. Darasal Aksh apni Gun or saath kuch magazine le raha tha. Use dekh kar Sakshi ko gussa ane laga, usne aage akar Qaatil par Gun point kar li. Ab is waqt ghar me andhera hua tha, bass diwar ke paas ek light jal rahi thi.

Sakshi: kaha bhagne ki tayari kar rahe the?

Sakshi ki awaz apne kano me padte hi Aksh ke hosh udd gaye.

Sakshi: aaj is khel ka antt tay tha.... Aise kese bhag jate yaha se? Apne haath upar karo or is taraf palat jao.....
Wo kuch dur se hi apni Gun ko Aksh ke sar par Point karte hue kehti he. Aksh ne apni haath dhire dhire upar karne shuru kiye, or dhire dhire Sakshi ki taraf mudne laga, lekin tabhi Aksh ne furti se apni Gun nikal kar Sakshi par point karna chahi, lekin us se pehle hi Sakshi ne Aksh ke haath me Goli chala di, jis se Aksh ke haath se Gun dur ja kar gir gayi, or wo apne haath ko jakad kar wahi khada raha.
Sakshi: agli baar Goli sidha sar me chalegi.....

Sakshi: Kya laga tha tujhe? Mere Aai Baba ko maar kar mere Aksh ko mujhse chinn kar zyada din bach paoge?
Wo kafi bhavuk hokar aage ate hue kehti he.
Sakshi: tujhe tere kiye ki saza milegi, zarur milegi, lekin us se pehle mujhe mere sawal ka jawab chahiye.... Kyu mara mere Aai Baba ko? Kya kiya tha unhone? Or Aksh.... Aksh ko.....
Ab apne pariwar ka zikr hote hi Sakshi apne aap ko sambhal nahi pati or rone lagti he. Lekin ispar Aksh paas pade sofe par jakar beth jata he, or waha pade kapde se apna zakhmi haath bandh deta he. Uske is bartav se Sakshi ka gussa uski Charam sima ko chu raha tha, Sakshi gusse me aage ane lagi, jese hi wo Aksh ke paas pahochi, Aksh ne furti se uska wo haath jisme Gun thi, kass kar pakad liya or Sakshi ko sofe par gira kar khud uspar agya or Sakshi ki hi Gun Sakshi ke mathe par point kar di, lekin is waqt Aksh ke haath bahot kanp rahe the.
Sakshi: kya hua? Shoot me..... Agar maut ka darr hota, to yaha ane ka kabhi sochti bhi nahi.....
Or itna kehkar Sakshi ne Gun ko mazbuti se pakad liya or apna sarr Aksh ke chehre par de mara, jis se Aksh piche ho gaya. Itne me Sakshi uth khadi ho gayi, Aksh chahte hue bhi Sakshi se ladd nahi sakta tha, lekin fir bhi wo aage akar Sakshi par humla bol deta he, lekin Sakshi jhuk kar uske humle se bach gayi, or piche se Aksh ka haath mod kar use zor se zameen par gira diya. Aksh apne khule left haath se uthne ki koshish kar raha tha, lekin aaj Sakshi ke sar pe khun chada hua tha, usne der kiye bina Aksh ke left kandhe par Gun rakh kar fire kar di. Ab Aksh ki aakho se asu nikal aye the, wo puri tarah koshish kar raha tha ke apne muh se koi awaz na nikale. Ab Sakshi ka Aksh par pura control tha. Sakshi waise hi Aksh ki pith par ghutna rakh kar uska right haath todne ki firak me thi.

Sakshi: bol..... Aksh kaha he? Kaha he Aksh bata mujhe warna aaj zinda nahi chhodungi tujhe.....
Wo kisi sher ki tarah gurrate hue Aksh ka haath or zyada Modkar kehti he. Aksh bass apni awaz dabaye Sakshi ki pakad se chutne ke liye chatpata raha tha. Sakshi ko koi jawab nahi mil raha tha, isliye Sakshi Gun chhod kar Knife nikal leti he or ek ghav Aksh ki pith par kar deti he.
Sakshi: bata mujhe Aksh kaha he..... Bata.......
Wo zor zor se chillakar jawab mang rahi thi. Ab uska gussa or zyada badh raha tha. Sakshi ne is baar knife ko sidha Aksh ki pith me gaadh diya, or use zor se ghumane lagi, ab Aksh se saha nahi gaya or wo bhi dard me chillane laga. Sakshi ke kano me ye awaz ate hi uske sharir se mano puri takat hi chali gayi. Wo jaldi se Aksh ko chhod kar khadi ho gayi, Aksh ab bhi dard me karha raha tha, Sakshi ne aage akar apne kanpte hue haatho se uske chehre par se kapda hata diya. Or tabhi asman me zordar bijli kadak uthi, jis se Sakshi ne Aksh ka chehra saas saaf dekh liya. Aksh ka chehra dekh kar Sakshi ko apni aakho par yakeen nahi ho raha tha. Aksh himmat kar ke apne ghutno par ane ki koshish kar raha tha lekin wo dard jese Aksh ki jaan liye ja raha tha. or ab Sakshi use dekh kar apne asu rok nahi paati or Aksh ko sahara dete hue niche beth kar use sambhal leti he. Usne Aksh ko pakad kar sofe ke sahare zameen par hi bitha diya.

Sakshi: A...... Aksh...... Tu..... Aksh..... Ye.... Ye sab......
Wo Aksh ko dekh kar ab kuch bolne ki stithi me nahi thi. Usne sabse pehle Aksh ki pith se chaku nikal liya, jis se Aksh ki ek dard bhari chikh nikal gayi.
Sakshi: k... kuch nahi..... Kuch nahi hoga Aksh.... Me.... Me hu na yaha..... kuch nahi hoga tujhe.......
Wo Aksh ka chehra apne haatho me thamkar kehti he, or kas kar uska sir apne sine se lag kar fut fut ke rone lagti he. Pata nahi kyu lekin Sakshi ke sine se apna sar lagte hi Aksh ka dard to jese gayab hi ho chuka tha, is waqt Aksh ek aise ghere me tha, jaha koi uska bal bhi baka nahi kar sakta tha. Aksh bass lambi lambi saase liye jaa raha tha. Sakshi to Aksh ko jese apne aap me sama lena chahti thi. Wo bar bar Aksh ke sar pe haath fer rahi thi, or bass kisi bacche ki tarah roye ja rahi thi. Ab usne Aksh ko apne sine se hata kar uska chehra apne haatho me tham liya. Aksh ki aakhe is waqt band thi, lekin uske chehre par aise bhav the jese kisi bhatke hua insan milo ki duri paar kar ke ek ped ki chav me sukoon mehsus kar raha tha.

Sakshi: Aksh...... Aksh hum ek dusre ko humesha se jante hai.... mene.... mene tujhe Hasta hua dekha hai, khush dekha hai, Tujhe Rota dekha Hai, Akela dekha hai…. Lekin…. Lekin ye sab……ye sab kya hai Aksh?

Wo rote hue Aksh ka chehra apne haatho me thamkar us se puchti he.

Lekin Aksh bina Sakshi se nazre milaye koi jawab nahi deta.

Sakshi: chup kyu ho mujhe jawab do Aksh….. warna…. Warna..

Ye kehte hue Sakshi niche padi Gun ko utha leti he or apne mathe par point kar deti hai. Usne trigger par apni ungli hi rakhi thi ke Aksh apni dayi taraf ki diwar ko dekhne laga, jis diwar par light lagi thi, or usi diwar par wo calendar or kuch tasveere lagi thi. Sakshi uski nazro ka picha karte hue us diwar ko dekhti he lekin jese hi Sakshi ki nazar us diwar par gayi to uske hosh ud gaye. Uski wajah thi ke diwar pe bahot se logo ki tasveer lagi hui thi lekin center me Aksh, Sakshi, Santosh or Radha ki tasveer thi. Santosh, Radha or bahot si tasveero par red marker se cross bana hua tha.

Sakshi sawalo se bhari apni nazre Aksh par tika deti he. Aksh dhire dhire apne pero par khada ho raha tha. Wo akar us tasveero ke samne ruk gaya, Aksh uske piche khadi sacchayi jaan ne ke liye Aksh ke bolne ka intezar kar rahi thi.

Aksh: u.... Us raat.... Us raat.........



Flashback:


Aaj raat dinner par Mansi ke parents Aksh ke pariwar se milne wale the. Mansi ne tabb se Aksh ka saath nahi chhoda, jabse Sakshi yaha se gayi he. Wo har waqt Aksh ke saath thi. Sham ke waqt Aksh rooftop par akela udas betha hua tha. Mansi niche Aksh ke Aai Baba ke saath hasi mazak karne me lagi thi, Radha or Santosh to Mansi lo itna pasand karne lage the ke jo zakhm Sakshi ne unhe diye the, wo bhi bhul chuke the. Mansi me kafi der takk Aksh ko dekha nahi, isliye wo Aksh ko dekhne uske kamre me chali gayi, lekin Aksh waha nahi tha. Isliye Mansi Rooftop par chali gayi, waha Aksh num aakho ke saath Sakshi ki yaado me duba tha. Mansi aage akar use piche se Hug kar leti he. Mansi ka ehsas hote hi Aksh apne asu chupane lagta he.

Mansi: kyu mujhse apne aasu chupa rahe ho Aksh? Mujhe nahi bataoge baat kya he?
Wo bade pyaar se Aksh ke Samne khade hokar uske haath thamte hue kehti he.
Aksh: S.... Sakshi.... Sakshi aaj yaha hoti to..... Me.....
Iske aage Aksh kuch bol nahi pata, or uski aakhe apne asuo ko rok nahi pati. Mansi ko Aksh ka rona bahot dard deta tha. Wo Aksh ko apne sine se laga kar uska sar sehlane lagti he.
Mansi: You Know what Aksh..... Ab kal se hi Sakshi bhi tumhare saath hogi.....
Uski baat sunkar Aksh nasamjhi ki halat me use dekhne lagta he.
Mansi: Aksh, kal hum Sakshi se milne jayenge..... Na hi tum Sakshi ke bina jee sakte ho, or na hi Sakshi tumhare bina..... Tumhara bhala isi me he ke tum dono ek ho jao.....
Uski baat sunkar Aksh shock ho gaya.
Aksh: ye.... Ye.... Kya keh rahi ho Mansi.... Ye sab......
Mansi: ha Aksh.... Mujhe maaf karna lekin mene tumse ek baat chupayi rakhi thi....
Aksh: konsi baat?
Mansi: Sakshi jab yaha se ja rahi thi, tabb usme mujhse koi promise nahi kiya tha ke wo sabkuch bhula kar wapis ayegi.... Infact usne to kaha tha ke uske dil me tumhare liye ye jo pyaar he, wo marte dum takk zinda rahega..... Lekin mene tumse jhut isliye kaha ke mujhe laga tum waqt ke chalte shayad..... Lekin me galat thi, Aksh hum dono kal Sakshi ke paas jayenge....
Ye sab sunkar Aksh ki sochne samajhne ki takat hi chali gayi thi. Ek taraf to wo pehle se hi Sakshi ki baat maan ne ke liye tayar tha. Lekin ab baat kafi aage badh chuki thi. Yaha aaj uske or Mansi ke parents milne wale the, ek naya rishta aaj judne ja raha tha. Aksh Sakshi ko pana chahta tha, lekin uske chalte wo Mansi ki Acchayi ka fayda nahi uthana chahta tha. Aksh ek gehri saas lekar Mansi ka chehra apne haatho me tham kar uski Aakho me akhe dalkar dekhne lagta he.

Aksh: Mansi, sach kahu to mujhe Sakshi mere saath har waqt chahiye.... Or me uske liye duniya ki sari sahi galat ki definition bhul sakta hu..... Aaj tumne ye baat keh kar dikha diya ke tumhara dil kitna bada he.... Or me apne fayde ke liye tumhara dil nahi tod sakta..... Dekho Mansi, me..... Me puri koshish kar raha hu Sakshi ko bhulne li, lekin me.....
Mansi: tum nahi kar paoge......
Wo Aksh ki baat bich me kaat te hue kehti he.
Mansi: tum nahi kar paoge Aksh.... Sakshi tumhare is sharir ka hissa bann chuki he.... Or sharir ka mamuli hissa bhi agar hum alag kar de, to us sharir ko kabhi pura sharir nahi keh sakte.... Or Sakshi ko to tumhari saase he.... Sakshi ka tumse dur hona Matlab tumhari sase chin lena..... Aksh aisa matt socho ke ye sab kar ke me koi bahot bada kaam kar rahi ho, Sakshi or tum ek dusre ke liye hi bane ho.....
Aksh: lekin.....
Mansi: lekin kya Aksh? Kaho ke tum Sakshi se pyaar nahi karte...... Nahi keh sakte na?
Aksh: Mansi, try to understand me ye nahi.....
Mansi: kyu nahi kar sakte? Batao kyu?
Aksh: Mansi me tumse pyaar karta hu..... Agar Sakshi mere liye zindagi he to tum Duniya ho.....
Mansi: Zindagi ke bina ye duniya kis kaam ki Aksh?
Uski baat ka jawab Aksh ke paas nahi tha, wo bass Mansi ki taraf pith kar ke khada ho gaya. Mansi ne Aksh ko piche se hi hug kar liya.
Mansi: Aksh, sach kahu to me bhi tumhare bina ek pal bhi nahi reh sakti..... Me chahti hu ke tum mujhe Sakshi or tumhare bich pyaar ke ek chote se hisse me shamil kar lo... Me usme khush rahungi.....
Uski baat sunkar Aksh hakka bakka reh gaya, usne piche mudkar Mansi ke haath apne hatho me tham liye.
Aksh: Mansi tumhe andaza bhi he tum kya keh rahi ho?
Mansi: ha Aksh.... Me samajh rahi hu ke me kya keh rahi hu....
Ab Aksh ke dimag me kaam karna bilkul band kar diya tha. Use kuch samajh nahi araha tha ke agar wo kare to kare kya.

Mansi: Aksh.... Sach kahu to me tumse alag nahi ho sakti, or na hi hona chahti hu. Kyu ke saccha pyaar kya hota he ye mene dekh liya he. Me Sakshi se tum dono ke pyaar ke bich ek choti si jagah ke liye bhik mang lungi....
Aksh: ye nahi ho sakta Mansi.... Nahi ho sakta.... Ye duniya kya kahegi.....
Mansi: mujhe duniya se koi Matlab nahi he..... Or ye duniya hoti kon he humari baato ke bich dakhal andazi karne wali?
Aksh: lekin......
Mansi: bass..... Ab tum kuch nahi kahoge..... Kal hum dono saath milkar Sakshi ke paas jayenge. Dekhna, Sakshi mujhe apni sautan ke roop me zarur apnayegi.....
Uski baat sunkar Aksh andar hi andar khush ho raha tha, lekin ab bhi use ye sab galat lagg raha tha.
Mansi: ab zyada socho matt..... Or ha, tumhe Sakshi or me wo chalenge na?
Aksh: wo kya?
Mansi: Lesbian.....
Wo mazak mazak meAksh ke kano me kafi dhimi awaz me kehti he. Jo sunkar Aksh ke chehre par hasi agayi, or usne Mansi ke sar me halke se maar kar use apne se kass liya. Or Mansi bhi yahi chahti thi ke kash Aksh ek baar muskura de.

Khair, sham se raat dinner ka waqt ho gaya tha. Mansi ke parents bhi waha achuke the. Kafi der takk wo log apas me baate kar rahe the. Lekin is bich ghar ke bahar Rana apne bahot se logo ke saath pahoch gaya. Wo sab ghar ke andar dakhil ho gaye. Itne sare logo ko dekh kar koi kuch samajh nahi paya. Lekin Aman ki nazar Rana par gayi, or wo turant use pehchan gaya. Rana aage akar in sab ke saath sofe par beth gaya. Uske sare Admiyo ne charo taraf se Aksh or Mansi ke pariwar ko gher liya tha.

Rana: are kya hua? Betho..... Kya baate chal rahi thi chalne do.....
Santosh: Aksh ye kon......
Rana: are ye kesi baate kar rahe ho aap..... Apke khandan se bahot purane sambhand he humare.... Aap bhale hume nahi jante, lekin aapke pitaji.... Oho ho.... Mahapurush Joshi Kaka, unki wajah se hi to me aaj ye hu jo aap sab dekh rahe he......
Wo uthkar Santosh ke samne khade hote hue kehta he.
Santosh: me kuch samjha nahi......
Rana: abhi samjhata hu.....
Wo Santosh ko collar se pakad kar uske mathe par gun point karte hue kehta he. Ye dekh kar Aksh aage ane laga ke tabhi Rana ke admiyo ne sab logo ko daboch liya.
Aksh: Baba ko chhod do.... Warna......
Wo bahot hi gusse me Rana ke admiyo ki pakad se chutne ki koshish karte hue kehta he.
Rana: warna? Warna kya? Bol na warna kya
Or itna kehkar wo ek Goli Santosh ki kamar me chala deta he. Santosh chillate hue wahi gir gaya. Aksh or baki sab use dekh chillane lagg gaye. Rana aage akar Mansi ke samne khada ho gaya, Mansi use dekh kar kafi darr gayi.
Rana: pehchana? Nahi pehchana? Are ye to galat baat he na Aman..... Bacchi ko apne Chacha ke bare me nahi bataya tumne?
Ye sunkar Mansi ke hosh udd gaye.
Rana: ha beta.... Aman mere Mama Ji ka beta he... To mera bhai hua na.... Or tumhara chacha....
Wo Mansi ke chehre par haath ferte hue kehta he. Lekin tabhi Mansi uske muh par thuk deti he. Jis se Rana ka gussa satve asman par chala gaya. Usne Mansi ko balo se pakad kar khich liya or bich me agaya.
Aman: Deep..... Mansi.... Mansi ko chhod do..... Please.....
Wo Rana ke samne gid gida kar keh raha tha. Lekin uski baat sunkar Rana hasne lagta he.
Rana: hahaha...... Deep..... Bhul gaya tha ke mera naam Deep bhi he.... Khair, purani baat nikali he to bata hi deta hu.... Tumhare Baap ke kiye ki hi saza mil rahi he tum logo ko......
Itna keh kar wo ek Chaku Mansi ke pet me dhasa deta he. Ye dekh kar Aman or Kiran to zor zor se rone lage or Rana se Mansi ki Jaan ki bhik mang rahe the. Rana Mansi ko Aksh ke bilkul samne le ata he, Aksh bass roye ja raha tha.
Aksh: please chhod do use..... Please......
Rana: are tum ro kyu rahe ho? Mari nahi abtak tumhari chamiya....
Ye kehkar wo firse Mansi ke pet me chaku daal deta he. Mansi dhire dhire apni aakhe band kar rahi thi, or Aksh use zor zor se pukar raha tha. Rana ne Mansi ko wahi par gira diya or ja kar dard me pade Santosh ko Aksh ke samne le aya.
Aksh: please.... Baba ko chhod do.... Please....
Wo rote hue Rana se Santosh ki bhik mang raha tha.
Rana: chalo thik he.... Chhod deta hu.... Ye lo, chhod diya
Wo Santosh ke gale par chaku ferte hue kehta he, or use bhi Mansi ke paas hi gira deta he. Is waqt Mansi or Santosh tadap rahe the. Ye dekh kar Aksh or Radha pagal se ho gaye. Lekin ab Rana ja kar Radha ko balo se pakad ke Aksh ke samne le aya. Or bina der kiya Radha ke bhi gale par chaku fer kar use wahi fek diya. Usne apne admiyo se Aksh ko chhodne ka ishara kar diya. Aksh un admiyo ki pakad se chutt te hi Radha, Santosh or Mansi ke paas akar unko zinda rakhne ki nakam koshish karne laga. Rana muskurate hue Aman or Kiran ke paas agaya, Kiran to apni beti ko dekh kar behosh ho gayi thi. Rana ne gusse me Aman ko dekhte hue uske bhi pet me 3-4 baar chaku ghused diya. Aman bhi tadapta hua zameen par gir gaya. Waha Aksh ne Mansi or Santosh ko kho diya tha. Wo Radha ka chehra apne haatho me thamkar ro raha tha ke tabhi Radha apni akhri saas lekar is duniya se chali jati he, Ab to Aksh jese bikhar gaya. Wo Radha ke sine me sar rakh kar rone lagta he. Tabtak Rana ne behosh padi Kiran ko bhi maut ke ghat utar diya. Ab waha Aksh bacha tha. Rana Aksh ke piche akar niche Aksh ke kandhe par haath rakh kar Beth jata he.
Rana: itna kyu ro rahe ho Aksh? Tumhe bhi inke saath bhagwaan ke paas bhejne wala hu me..... Or fir kuch waqt baad tum apni pyari behen Sakshi se bhi mil paoge....
Uske muh se Sakshi ki baat sunkar Aksh ne Rana par dhava bol diya. Or uske upar chadd kar uska gala daboch liya. Rana ke aadmi aage arahe the ke tabhi Rana ne sabko rok diya, or khud Aksh ka gala pakad kar khada ho gaya. Usne gusse me Aksh ko gale se pakad kar hawa me utha diya. Aksh uske haath me chatpata raha tha ke tabhi waha Armed Force akar goliya barsana shuru kar deti he. Ye dekh kar Rana ne Aksh ko chhod diya, or baki admiyo ne Rana ko gher kar bacha liya or khud armed force par Goliya barsane lage, Rana apne admiyo ke piche se hi waha se bhag nikalta he. Kuch der takk goli bari chalne ke baad Rana ke sare admi dharashayi ho chuke the.

Darasal Armed Force ko yaha Abhinav or Anant laya tha, use kisi ne call kar ke is bare me bata diya tha. Batane wala shaks or koi nahi, balki Abdul tha. Waha Aksh ek bejan lash bann kar zameen par gira hua tha. Abhinav or Anant sabse pehle Rana ko dhund ne ke liye ghar me talash karne chale gaye. Or isi waqt Aksh ki nazar Aman par padd gayi thi, or tabhi usne waha ja kar Aman se kuch akhri bate ki thi.


Present:

Jese jese Aksh ye sab Sakshi ko bata raha tha, waise waise Sakshi ki aakho se asu or zyada tezi se beh rahe the. Aksh aage kuch or bolne wala tha ke tabhi waha Goliya chalne lagti he. Darasal jab Shahid Aksh ko lene araha tha, to usme samne se bahot sari Special Forces ki gadiya jungle ke andar jate dekhi. Usne Aksh ko khabar karni chahi thi, lekin Tabtak Aksh ka mobile Sakshi ke saath bhidant me tut chuka tha. Shahid ne gadi ko dusri taraf se andar chala diya. Or ghar ke piche pahoch kar samne se ati Special Forces par humla karne laga. Jawab me samne se bhi goliya chalne lagi. Ye awaz sunkar Sakshi apni Gun uthakar darwaze ke paas ane lagi ke tabhi ek Goli akar Sakshi ko lagg gayi. Ye dekh kar Aksh ki to mano jaan hi nikal gayi.
Aksh: Sakshi........

Wo daud te hue akar Sakshi ko sambhal leta he, lekin Tabtak Sakshi ki aakhe band ho chuki thi, ab ye Forces ghar ke andar takk achuki thi, Anant ne Aksh ko dekhte hi uspar dhava bol diya, or use ulta gira kar hatkadi pehna di. Sana ne Sakshi ko utha kar Ambulance me se rawana kar diya. Wahi bahar Shahid or baki sab is khel me haar gaye or sab goliya kha kar maut ke ghat utar gaye.

Anant ne apne Officers se pure ghar ki talashi lene ke liye keh diya. Or khud Aksh ko collar se pakad kar Sofe par bitha diya or khud uske samne beth gaya.

Anant: to..... Aksh.... AKA Qaatil. Kese ho?
Wo Aksh ke nazdeek akar use uksate hue kehta he. Aksh bass gusse se use ghure ja raha tha. Tabhi Officers andar se bahot sara cash or Guns lekar agaye.
Anant: ohhh.... Kya baat he Aksh, itni Tarakki? Khair ab asman chukar ho gaya ho to zameen par akar mitti ka swad bhi chakk lo.....
Or ye kehkar wo Aksh ko pakd kar ghasit te hue bahar le jakar gadi me daal deta he. Or khud usi gadi me bethkar use Hospital le jata he. Kyu ke Aksh ko bhi bahot sare ghav mile the.

Hospital me akar Aksh ki marham patti ho chuki thi, Anant ne use apni car me bitha diya, or use Jail me le jane ke liye rawana ho gaya.

Anant: Aksh agar tum mujhpar humla or Neel ko marne ki galati nahi karte to shayad me kuch or waqt ke liye tumhe azad rehne deta.... Shayad tumhara badla pura hone takk? Lekin ab nahi, bass 2 sunwahi or tumhe tumhare kiye ki saza mil jayegi... Fasi....
Aksh: aise kayaro ki maut nahi marunga..... Or mene kaha tha ke mere raste me matt ana, warna.....
Anant: Shut Up..... Is waqt tum mere kabze me ho, firse bahar jane ki socho bhi matt..... or ye khali dhamkiya dena band karo. Tumhara waqt khatam ho gaya he....
Wo Aksh ki baat bich me kaat te hue kehta he.
Aksh: marne se pehle meri kisi se akhri mulaqat karwa sakte ho?
Anant: huhhh.... Chalo kaho, kis se milna chahoge?
Aksh: Sakshi se..... Abhi, isi waqt.....
Uski baat sunkar Anant kuch sochkar gadi Sakshi jaha thi us Hospital me le jata he. Waha Sakshi ki condition kafi critical thi. Anant kuch Police ke saath Aksh ko lekar andar agaya jaha Sana khadi thi.

Anant: kya hua Sana? Sakshi.....
Sana: sir Sakshi is waqt Koma me he.....
Ye sunkar Aksh ke dil ko bahot zyada takleef hoti he.
Anant: Doctor ne kya kaha?
Sana: agar Sakshi kuch der me koi halchal nahi karti to we could Lose Her.....
Ye sunte hi Aksh dil jese dhadana hi bhul gaya.
Aksh: mujhe.... Mujhe Sakshi se milna he.....
Fir Anant kuch soch kar use andar jane ki permission de deta he. Samne bed par Sakshi oxygen mask me leti thi. Waha mojud heart sensing machine normal tarike se beep ho rahi thi. Lekin jese jese Aksh uske nazdeek ja raha tha, machine ke beep hone ki speed badhte ja rahi thi. Aksh akar aakh ke bilkul paas khada ho jata he or bass Sakshi ke chehre ko ek takk dekhne lagta he.

"agar tum sunn rahi ho, to ye jaan lo.... Us din jab me duniya ki sari sahi galat ki dharna bhul kar tumhare paas akar gid gida te hue jo mene tumhara haath manga tha.. Ab nahi chahiye..... Shukriya mujhe Naa kehne ke liye..... Shukriya, mujhe mujhse milane ke liye..... Tum, jisne meri shaksiyat chinn li.... Ek bacche se uski masumiyat chinn li, agar sunn rahe ho, to ye jaan lo, wo Ishq ka bich jo tumne boya tha is dil ne Nafrat me tabdil kar liya he.... Apne sabse bade darr se mene khudko azad kar liya he.... Tum.... Jo ab mera sabkuch ho, mera akhri ruhani rishta ho, agar sunn rahe ho, to ye jaan lo ke sare darr mita kar bhi, sirf ek tumhe Khone ka darr he.... Ye aakhe sirf tumhare liye bharr ati he, lekin aaj wada karta hu, kabhi bhi kamzor nahi padhunga. Tumhare liye ek aasu or nahi bahaunga.... Kyu ke....."

Jab Aksh ye sab keh raha hota he, tabb Sakshi se judi wo machine ke beep hone ki raftar tez hone lagi thi, or Sakshi zor zor se saase lene lagi. Ye Dekh kar Doctor daud kar andar ajata he, or Anant ko kehkar Aksh ko bahar le jane ke liye bolta he. Anant Aksh ko lekar waha se nikal aya or Aksh ko le ja kar sidha Jail me daal diya.

Pata nahi kyu lekin ab Aksh se or saha nahi ja raha tha, or itne waqt se apni bhavnao ko dabaye rakha Aksh wahi par rone lagta he.

Wahi Hospital me Sakshi koma se bhar achuki thi, Aksh ne apna kaam kar diya tha. Lekin Sakshi ko Doctors ne injection de kar sula diya tha.

Sana: sir... Aapne jesa socha tha, waisa kuch nahi hua.... Ab....
Anant: koi baat nahi.... Is waqt Rana se zyada khatra hume Aksh se hi he.... Bass ab Court jald se jald Aksh ko saza suna de....
Sana: lekin sir Sakshi.....
Anant: pehli sunwahi takk Sakshi ko bass yahi ehsas dilana hoga ke ye sab hum Aksh ko begunah sabit karne ke liye hi kar rahe he.... Or me janta hu Sakshi se kya kehna he.....
Wo ek gehri soch me jakar us se kehta he.

Waha Shahid or baki sabki lashe bhi unke pariwar walo ko sop di gayi thi. Sabne Aksh ka har kadam par saath diya tha, lekin aaj shayad kismat kuch or chahti thi.

Kismat kya chahti thi? Akhir sahi kon he galat kon he? Anant kabtak Sakshi se sacchayi chupa payega. Or jab Sacchayi samne ayegi tabb Sakshi ka kya haal hoga? Aise hi kayi sare sawalo se bhara aaj, ane wale kal ka intezar kar raha tha.

To is tarah antt hota he is kahani ke tisre adhyay, "Qaatil" ka, ab is kahani ka agla adhyay "Frozen Romance" kahani ko kaha le jata he ye dekhna dilchasp hoga. Tabtak bane rahiye.

Agar Update accha laga ho to like zarur karna or Comment kar ke apna view mere saath zarur share karna. Agla Update jald hi ayega till then Stay Tuned And Keep Smiling 😊 😊
 
315
395
63


Chapter 4 - Frozen Romance

Update 1


Mega Update


Word Count: 3420
Estimated Reading Time: 00:17:00



Raat ke kareeb 3 baje suddenly Sakshi kafi zor zor se saase lene lagi, waha is waqt Sana bhi mojud thi, usne sabse pehle Doctor ko waha bula liya. Doctor ne akar use ek injection de diya, jis se Sakshi bilkul shant ho gayi.

Sana: Doctor.... Is everything Alright?
Doctor: Don't worry.... Ghabrane wali koi baat nahi he.... Sakshi is recovering i think Dopeher takk hum use behoshi se bahar le ayenge.
Sana: okay, thanks.....
Fir Doctor waha se chala gaya. Sana bhi kafi der ae yaha bethi thi, isliye uski bhi wahi par aakh lagg gayi.

Dusri taraf Anant ne to jese Aksh ko fasi dilwane ki thaan thi, wo Court me pesh karne ke liye chote se chota saboot bhi nahi chhod raha tha. Sare saboot usne ikhatta kar ke Aksh ka bachna jese namumkin sa kar diya tha.

Lekin yaha Mosam kafi thanda ho chuka tha or is wajah se Aksh dard me karhate hue apni karvate badal raha tha. Jailer ne use kuch dawai de di jis se Aksh kuch der baad gehri nind me chala gaya.

Dopeher ka waqt ho chala tha, Anant khane ki ek plate lekar Aksh ke Cell me ajata he. Lekin is waqt Aksh so raha tha, Anant ne plate ko ek taraf rakh diya or aage akar zor se Aksh ki kamar me laat maar di, jis se Aksh ek jhatke me jagg gaya or apni kamar pakad kar karhane laga.

Anant: maaf karna.... Zyada zor se laga kya?
Wo niche jhuka kar dhimi awaz me Aksh se kehta he. Aksh use bahot hi gusse me ghur raha tha.
Anant: kya dekh rahe ho? Marna chahte ho mujhe? Jis tarah se tumne Abhinav Sir ko mara tha?
Wo gusse me Aksh ki collar pakad kar kehta he. Ispar Aksh ne Anant ke muh par thuk diya or hasne laga. Lekin ab Anant ka gussa satve asman par chala gaya tha, usne Aksh ko collar se hi pakad kar utha liya or zor se samne ki diwar par de Mara. Pehle se hi itni chot lagne ki wajah se ab Aksh se utha nahi ja raha tha. Anant ne aage akar use pakad kar utha liya or uska sir piche se pakad kar diwar se daba diya.

Anant: bata do Aksh.... Kyu mara Abhinav sir ko tumne? Pehle jab jail me the to kisi police walo ko nahi bataya tumne, isliye is baar me khud puch raha hu.... Bata domm..
Wo Aksh ka sir piche se pakad kar uska chehra diwar se ragadte hue kehta he. Lekin in sabke bawajud muh se ek shabd nahi nikal raha tha. Ab Anant ne Aksh ka chehra apni taraf kiya or use mukka marne ke liye badha hi tha ke tabhi Aksh ne uski mutthi apne haath se rok li.
Aksh: wo... Wo to nahi bache..... ab Tum bhi nahi bachoge..... Jo karna he kar lo....
Uski baat sunkar Anant ne Aksh ko zor se pakad kar niche zameen par patak diya, or Aksh ki chot par jo patti bandhi thi use nikal kar garam Daal ki katori uspar daal thi. Jis se Aksh dard se tadapte hue chillane lagg gaya. Anant niche jhuk kar Aksh ke baal pakad kar uska chehra upar utha deta he.
Anant: acche sapne dekh lete ho.... Lekin Court me agli 2 peshi me hi tumhara khel khatam hone wala he.... Fasi ke liye tayar rehna.....
Itna kehkar wo Cell se bahar agaya.

Anant: acche se marham patti karo iski, itni asani se marne matt dena use.....
Wo bahar akar Jailer se kehta he or waha se chala jata he.

Dusri taraf Sakshi ab hosh me agayi thi, lekin uska dard ab bhi kam nahi hua tha. Kyu ke goli uske chest or pet ke bich ke hisse me lagi thi, goli ek inch bhi yaha waha ho jati to aaj Sakshi zinda na hoti. Sana wahi par sambhal rahi thi, Sakshi hosh me ate hi apne aap ko Hospital bed par pakar heran reh jati he.

Sakshi: me..... Me yaha.... Me to.... Aksh.... Aksh kaha he? Me... Me Aksh se mili thi.... Kaha he Aksh?
Wo Sana ko apne samne dekh kar puche ja rahi thi.
Sana: Sakshi.... Relax, Aksh thik he.... Or tumhe kal Goli lagi thi, isliye tum yaha.....
Sakshi: mujhe meri parwah nahi he..... Aksh kaha he mujhe bass ye jaan na he....
Wo Sana ki baat bich me kaat kar chillate hue kehti he.
Sana: Sakshi wo.... Aksh.... Aksh Jail me he.....
Uski baat sunkar Sakshi ke to hosh hi udd jate he.
Sakshi: ye... Ye aap kya.... Kya keh rahi ho? Aksh... Aksh Jail me kyu?
Sana: don't worry Sakshi, Aksh ko bass kuch Legal Formalities ke chalte Jail me rakha gaya he....
Sakshi: nahi..... Use Jail me nahi rakha ja sakta..... Me.... Mujhe Anant sir se baat karni he.....
Wo utne ki koshish karte hue apni Saline nikalte hue kehti he, ye dekh kar Sana ne use rokna chaha, lekin ab Sakshi kafi Voilent hone lagi. Sana ne Sakshi ko kass kar pakad liya lekin Sakshi ne ek zor ka dhakka dekar Sana ko piche gira diya. Sakshi ne apne haath se Saline ki tip ek hi jhatke me nikal fek di, lekin tabhi Doctors or Nurse daud te hue waha agaye or unhone milkar Sakshi ko pakad liya or use nind ka injection de diya, jis se wo kabu me agayi. Sana ne turant Anant ko call laga kar ye sab bata diya or use yaha bula liya.

Kuch der baad Anant waha achuka tha, or sham ke waqt Sakshi ki aakhe khulne lagi, usne apne samne Anant ko dekh kar uspar sawalo ki bochar kar di.

Anant: Sakshi.... Please tum shant ho jao.....
Sakshi: kese shant ho jau sir? Ye sab.... Ye sab akhir ho kya raha he? Jise me apne pariwar or Aksh ka Qaatil samajh rahi thi wo to khud Aksh hi he..... Or ab Aksh ko Jail me..... Ye sab kyu?
Anant: Sakshi meri bhi samajh me kuch nahi araha, jise hum Qaatil samajh rahe the, wo khud Aksh he..... Agar ye mujhe pehle se pata hota to.....
Sakshi: to fir Aksh ko Jail me kyu daal diya aapne?
Wo Anant ki baat bich me kaat te hue kehti he.
Anant: Sakshi hume Aksh ko uski bhalayi ke liye hi Jail me dala he.... Kya tum bhul gayi jab Aksh Jail se bhag nikla tha tabb Court me Aksh ke khilaf Shoot At Sight ke order jari kar diye the? Agar is baar bhi hum Aksh ko hirasat me na lete to Court firse uske khilaf ye Shoot At Sight ke order jari kar deti, or is baar me bhi Court ke khilaf nahi ja pata.....
Ab Anant ki baat sunkar Sakshi bilkul shant ho gayi.
Sakshi: lekin.... Lekin Aksh Gunehgar nahi he....
Anant: me janta hu Sakshi, Aksh ne mujhe bataya Rana ke bare me.....
Sakshi: to fir aap ye sabit kar ke Aksh ko begunah ghoshit kyu nahi karte?
Anant: hum wahi kar rahe he Sakshi..... agli 2 hearings me hum Aksh ko begunah sabit kar denge.... Uske baad tum Aksh ke saath pehle ki tarah hi apni zindagi guzar sakogi.....
Wo Sakshi ke kandhe par Haath rakh kar use jhuti tasalli dete hue kehta he. Lekin ab Sakshi kese jaan leti ke Anant ki tasalli bilkul jhuti he. Fir bhi Sakshi uski tasalli se khush ho gayi, or ye sunkar uske chehre par duniya bhar ki khushi cha gayi. Or wo bass mann hi mann Aksh ke saath apni aage ki zindagi guzarne ke sapne bunn ne lagg gayi. Sakshi ne Aksh se milne ki zidd to ki thi, lekin Doctor ne use is waqt kahi bhi jane se saaf saaf mana kar diya tha.

Khair, ye din to jese tese nikal chuka tha. Lekin gazab ki baat ye thi ke yaha har kisi ki kahani kisi na kisi tarah ek dusre se judi hui thi. Or har koi is kahani ko apne apne tarike se likhna chah raha tha, lekin Shayad ye sab bhul rahe the ke in sabse upar bhi puri duniya par nazar rakhe koi he, jisne is kahani ka antt bhi tay kar rakha tha.


Berehaal, subah ki thand ne Aksh ke chotil badan ka ek ek hissa dard se chakna chur kar rakha tha. Aksh apni kismat ko samajh hi nahi pa raha tha ke ye sab akhir kyu ho raha he. Lekin jabtak Aksh ye sab sochta, waha par Anant garam chay ki pyali lekar agaya.

Anant: are wahh.... Tum to jaage hue ho. Mujhe laga firse kal ki tarah jagana hoga tumhe....
Wo Aksh ke samne akar uski taraf chay badhate hue kehta he. Lekin Aksh bass use gusse me dekh raha tha.
Anant: are bhai le bhi lo..... Thand me bada sukoon deti he ye chay....
Uski baat par Aksh apna muh fer leta he. Lekin tabhi Anant me wo garam chay Aksh ke chehre par fek di. Aksh chillate hue waha se uthkar samne rakhe pani ke utensil se apne chehre par pani marne laga.
Anant: ohh.... Mujhe maaf kar dena, wo thand bahot hena, to haah kanp rahe the mere us chakkar me chay gir gayi.....
Uski baat sunkar Aksh bahot gussa ho gaya, usne palat kar Anant ka collar pakad kar use diwar se daba diya.
Aksh: kya chahte ho? Ha, bolo akhir chahte kya ho?
Wo gusse me Anant ka gala dabate hue kehta he. Lekin Anant apne haath se Aksh ka haath pakad kar use apne gale hatane lagta he.
Anant: jaan na chahta hu..... Abhinav Sir ko kyu mara?
Wo apni collar thik karte hue Aksh se puchta he.
Aksh: mann kiya isliye maar diya.....
Wo Anant ke chehre ke bilkul nazdeek jakar kafi dhimi awaz me kehta he.
Anant: aise kese Aksh? Jis raat tumne apna sabkuch kho diya tha, tabb Abhinav Sir hi the jinhone tumhe apne saath apne ghar me rakha, or jab tum me apne pariwar ke sadasyo ki chita ko aag lagane ki himmat nahi thi, tabb unhone hi us kaam ko apna farz samjha.... Beta kaha tha na unhone tumhe? Tumhare badle ko pura karne ka wada kiya tha na unhone? Fir? Bhul gaye sabkuch? Bhul gaye sabkuch?
Wo bahot hi gusse me Aksh ka gala pakad kar chillate hue kehta he.
Aksh: paristhitiya humesha ek jesi nahi rehti.....
Anant: thik kaha...... Paristhitiya humesha ek jesi nahi rehti.... Ab tayar rehna apne kiye ki saza pane ke liye....
Wo Aksh ko dhakka dete hue kehta he, or waha se bahar chala jata he.


Wahi dusri taraf Sakshi ko ab kuch rahat mehsus ho rahi thi, lekin ab bhi use bed se utarne ki ijazat nahi thi. Isi tarah kuch din nikal jate he, waha Anant har roz Aksh se ye jaan ne ki koshish karta ke usne akhir ye sab kyu kiya, lekin Aksh apna muh kholne ke liye katayi tayar nahi tha.



Kuch dino baad Sakshi ab chal fir sakti thi, usne sabse pehle Anant se Aksh se milne ki request ki. Kafi sari minnate karne baad Anant ne kuch soch kar Sakshi ko Aksh se milne ki permission de di. Sham ke waqt Sakshi Jail me dhakhil ho chuki thi. Wo jese hi Aksh ke Cell ke paas pahochi, to darwaze ke chote se hisse se usne andar dekha ke Aksh ek taraf muh kar ke soya hua he. Jailer ne darwaza khol diya, or Sakshi andar agayi, jab wo Aksh ke nazdeek ayi to usne Aksh ka badan sirf chot se bhara hua paya. Jo dekh kar Sakshi ka dil tut raha tha, or ab uski aakho se aasu behne lage. Sakshi akar Aksh ke sar ke paas beth gayi, usne apne kanpte hue haath aage badha kar Aksh ke sar me fer diya Jis se ki Aksh ki saase Fulne lagi, Sakshi ne dhire se Aksh ka sar apni godd me rakh diya, or tabhi Aksh ki dhadkane tez chalne lagi, uski aakho se apne aap asu behne lage, jese itne waqt se sukoon ki talash me bhatakte insan ko wo sukoon mil hi gaya ho. Sakshi ab bhi Aksh ke sar me haath fer rahi thi, or tabhi Aksh ne uska haath pakad liya or use apne Haatho me kasne laga. Lekin tabhi uski aakh khul gayi, or jab use ehsas hua ke Sakshi waha sach me mojud he, wo jhat se uthkar khada ho gaya. Sakshi bhi uthkar uske paas jane lagi, lekin Aksh apne kadam piche ki or badhane laga.

Sakshi: k..... K.... Kya hua Aksh.....
Aksh: dur ho mujhse.....
Wo kafi zor se chillakar kar kehta he, jis se Sakshi bhi ek pal ke liye darr gayi.
Aksh: mere..... Mere nazdeek ane ki koshish matt karna.... Jab bhi tu.... Jab bhi tu mere nazdeek ayi he, me harta aya hu..... Is baar.... Is baar apna badla kiye bina me harna nahi chahta.
Wo gusse me Sakshi ki taraf ungli dikhate hue kehta he.
Sakshi: ye.... Ye kya keh raha he Aksh tu? Me.....
Aksh: sahi keh raha hu me..... Behtar yahi hoga ke mujhe mere haal par chhod do..... Me jiyu maru lekin.....
Sakshi: Aksh..... ye Kya bakwas kar raha he tu?
Wo gusse me Aksh ki baat bich me kaat te hue kehti he.
Sakshi: kyu aise kar raha he Aksh tu? Itne waqt se tujhe dhund ne ke liye dar dar bhatak rahi thi me.... Or ab jab tu mujhe mil gaya to.....
Aksh: jise tu dhund rahi he wo kabka marr gaya.... Marr gaya wo us hi din jis din usne apni aakho ke samne apna pariwar ujadta dekha....
Wo gusse me Sakshi ki baat bich me kaat te hue kehta he.
Sakshi: Aksh... Jo tune khoya he wo mene bhi to khoya hena?
Wo rote hue Aksh se kehti he, lekin ye sunkar Aksh uske nazdeek ajata he.
Aksh: jo mene khoya, wo tune nahi khoya..... Mene sirf apne Aai Baba nahi khoye.... Mene us insan ko bhi khoya jise me is duniya me sabse badhkar chahta tha, jiske ek pal bhi dur hone se pagal ho jata tha, jiske liye puri duniya uske kadmo me lakar rakhne ke khwab dekhta tha. Jaan ma chahti ho kon he wo insan? Meri behen ko khoya he mene.....
Wo apni num aakho se Sakshi ke chehre ke nazdeek akar kafi dhimi awaz me kehta he. Ab is baat ka koi jawab Sakshi ke paas nahi tha. Wo kuch kehna chahti thi, lekin tabhi Aksh piche hatt gaya.
Sakshi: Aksh.... A.... Aisi baat nahi he.... Hum firse waise hi......
Wo rote hue Aksh se keh rahi hoti he lekin tabhi Aksh uski baat bich me kaat deta he.
Aksh: nahi reh sakte...... Agar tu firse pehle ki tarah zindagi guzarne ke khwab dekh rahi he to.... To tujhe nind se uthkar asal zindagi me ana hoga.....
Wo Sakshi ki aakho me aakhe dalkar kehta he.
Sakshi: kyu nahi ho sakta Aksh? Tune kitne sare sapne saja kar rakhe the, humesha kehta tha na ke meri success bahot dur he, to chalna.... Us success ko hasil kar le na.....
Aksh: bhad me gayi success..... Bhad me gaya sapno ka wo mukammal jahan..... Ab nahi chahiye kuch bhi, na daulat ki wasna or na hi shohrat ka tamasha.....
Wo gusse me apna haath diwar par marte hue chillakar kehta he.
Sakshi: Aksh teri manzil tera mukam ye nahi he.....
Aksh: mera sharir or rooh.... Koi manzil ya mukam takk pahochne ke liye bane hi nahi he.... me to wo insan hu, jo sangharsh ke safar me jina chahta he....
Uski baat sunkar Sakshi bilkul heran reh gayi, use samajh hi nahi araha tha ke wo akhir kahe to kahe kya. Jese hi wo kuch kehne ke liye aage badhi, tabhi Cell ke bahar se Anant ne Cell ka darwaza knock kar diya. Is waqt Aksh Sakshi ki taraf pith kar ke khada tha. Sakshi tabhi yaad aya ke Aksh ke pith par uske dwara kiye gaye vaar he. Isliye Sakshi ne aage badhkar Aksh ka kamiz thoda niche kar ke uski chot par kiss kar diya.
Sakshi: ab zyada dard nahi hoga.....
Wo apni num aakho se kehkar waha se chali jati he. Uske jate hi Aksh Zameen par bethe bikhar kar rone lagta he.

Waha Sakshi khud akeli ghar jane ke liye nikal gayi thi.

Sakshi (mann me): koi baat nahi Aksh.... Dekhna, jald hi me tujhe firse wahi purana Aksh bana dungi.... Teri nass nass se waqif hu me.... Itna bada ho gaya he, lekin Tujhe ab bhi tere dil or dimag ke bich faisla karna nahi ata.... Koi baat nahi, me hu na. Jese pehle tujhe sahi rasta dikhati thi, waise hi ab bhi dikhaungi....

Sakshi gadi chalate hue apne dil se baate kiye ja rahi thi, ke tabhi uski nazar kone me andhere ke bich bethi hui ek ladki par padd gayi. Sakshi ne turant gadi rok li, or us ladki ke piche akar khadi ho gayi.

Sakshi: excuse me.... Are you okay?
Wo piche se us ladki ke kandhe par haath rakhte hue kehti he. Jese hi wo ladki ne apna chehra piche fera, to Sakshi ne ne paya ke uska pura chehra asuo se bhara hua he. Jo dekh kar Sakshi bahot darr gayi, wo akar us ladki ke bagal me beth gayi.
Sakshi: agar tumhe koi pareshani he to..... You can share with me.....
Wo us ladki ka haath apne hatho me thamkar kehti he, lekin tabhi wo ladki rone lagti he. Sakshi use sahara dekar chup karane lagti he. Kuch der baad wo ladki chup ho gayi thi.
Sakshi: please tum be jhijak mujhe batao kya baat he? Shayad me tumhari help kar saku.....
Ladki: nahi kar paogi.... Koi madat nahi kar paogi....
Sakshi: tum aisa kyu keh rahi ho? At least mujhe apne rone ki wajah to bata sakti ho?
Ladki: me.... Mene... Mene apne Maa Baap kho diye.....
Wo Sakshi ke gale lagte hue kehti he or rona shuru kar deti he. Lekin ye sunkar Sakshi bilkul heran reh jati he.
Sakshi: please tum rona band karo, or mujhe puri baat batao.....
Wo us ladki ko shant kara kar puchti he.
Ladki: kuch din pehle.... Mere... Mere Maa Baap ek car accident me marr gaye.... Or ab... Ab mera is duniya me koi nahi he... Kiske sahare jiyu me?
Uski baat sunkar Sakshi ko kafi dhuk hota he, kyu ke apne Maa Baap ko khone ka dard Sakshi bhi samajh sakti thi.
Sakshi: tum janti ho, mene bhi apne Aai Baba, Matlab mere Maa Baap ko khoya he.... Tumne to shayad akhri baar unko dekha hoga, unki Arthi dekhi hogi.... Mene to.... Mene to itne waqt se unhe dekha bhi nahi tha, or na hi me unka antim Sanskar kar payi.... Me janti hu Maa Baap khone la dard, lekin zindagi me jine ke liye koi na koi wajah zarur mil jati he... Aaj bhale hi me andar se tut chuki hu, lekin ek wajah he jo mujhe abtak zinda rakhe hue he.....
Wo kafi bhavuk hokar apni num aakho se kehti he. Ab dono ki paristhitiya ek jesi hone se wo ek dusre ka dukh samajh pa rahe the, kuch der baad us ladki ne bhi rona band lar diya.
Sakshi: waise tumhara naam kya he?
Ladki: mera naam Ashna he....
Sakshi: nice name... Me Sakshi....
Wo apna haath aage badhate hue kehti he. Ashna bhi muskurate hue us se haath mila leti he.

Fir Sakshi use apni gadi me bithakar uske ghar chhod deti he. Raste me dono ne apne numbers bhi exchange kar liye. Jese hi Ashna car se utri, or Sakshi aage chali gayi, usne muskurate hue kisi ko call laga diya.

Rana: bolo Kriti.... Kaam ho gaya?


To Be Continued......


To Dosto ye tha Chapter 4 ka pehla Update, Hope aapko pasand ayega. Or me janta hu itna late Update dene se bahot se logo ka interest is story me nahi raha, lekin asal zindagi ko bhi to chalana he na? Khair, agla Update 2-3 din ke andar hi ajayega, kyu ke itne dino se bhag daud kar ke thakk chuka hu or ab kuch dino ki chutti li he. To jald hi Update post kar dunga.


agar update accha laga ho to like zarur karna or comment kar ke apna view mere saath zarur share karna. agla update jald hi ayega till then stay tuned and keep smiling 😊 😊
 
315
395
63

Chapter 4 - Frozen Romance


Update 2



Mega Update



Word Count: 4320
Estimated Reading Time: 00:23:00




Subah subah Sakshi Aksh se milne Jail me agayi thi, wo jakar Aksh ke cell me dekhti he to Aksh lete hue chatt ko ek takk dekhe ja raha tha. Darwaza khulne ki awaz se Aksh us taraf dekhta he to waha Sakshi ko mojud dekh wo uthkar beth jata he, or apna muh us se fer leta he. Sakshi akar Aksh ke bagal me beth gayi, uske chehre ki muskurahat bata rahi thi ke uski zindagi me Aksh ka hona na hona kitna mayne rakhta he.

Sakshi: itni subah subah kyu uth gaya Aksh tu?
Wo Aksh ka chehra apni taraf karte hue puchti he. Ek pal ko to Aksh uspar bahot gussa ho raha tha, lekin jese hi usne Sakshi ke chehre par wo khushi, wo muskurahat dekhi, tabb uske muh se ek shabd bhi nahi nikal paya. Usne bass Sakshi se apni nazre fer li.

Sakshi: dekha.... Me janti thi tu mujhse gussa nahi reh payega.... Kal to bass mujhe darane ke liye gussa kar raha tha na? Tujhe kya laga me tujhse darr jaungi? Huhhh.... Khayali pulav hi pakate rehna tu..... Bavlat kuthla (pagal kahi ka)....
Wo Aksh ke sar me halke se marte hue kehti he. Lekin Aksh ab bhi koi response nahi deta, Darasal raat se hi Aksh ki tabiyat kuch thik nahi thi, use na hi kuch bolne ma mann kar raha tha or na hi kuch karne ka. Sakshi ne kuch kehne ke liye Aksh ke haath par apna haath rakha to usne paya ke Aksh ka haath kafi garam ho chuka he. Sakshi ne jab Aksh ke mathe ko chu kar dekha to use pata chala ke Aksh ko tez bukhar he.

Sakshi: Aksh.... Tujhe.... Tujhe kafi tez bukhar aya he..... Tune Jailer se kaha nahi is bare me?
Wo Aksh ke samne bethkar uska chehra apne haatho me thamkar kehti he. Lekin Aksh bina us se nazre milaye apne hatho se Sakshi ke haath alag kar deta he. Jese hi Sakshi Medical Department me call kar ke Aksh ki khabar pahochne wali hoti he ke tabhi wah Anant chay ka cup lekar waha agaya. Anant Sakshi ke yaha hone ki ummid nahi kar raha tha.

Sakshi: Good Morning Sir.....
Anant: Sakshi tum yaha?
Sakshi: yes sir wo me.....
Anant: Sakshi tumhe pehle Mujhe batana chahiye tha ke tum yaha arahi ho....
Wo Sakht lehze me Sakshi se kehta he.
Sakshi: I'm sorry sir.....
Wo apna sar jhuka kar Anant se mafi mang leti he.

Aksh ne Anant ke haath me chay ki pyali dekh li, or usne Anant ke samne khade hokar Anant ke haath se chay le li, lekin jese hi Aksh chay ki chuski lene ke liye badha, to wo ruk gaya or muskurate hue Anant ki taraf dekhte hue wo chay Anant ke hi chehre par fek di jis se Anant ka chehra jalne laga. Sakshi jaldi se Anant ke chehre par pani maar kar gusse me Aksh ko dekh rahi thi. Lekin Aksh ko ye sab dekh kar bahot sukoon mil raha tha, isliye wo bass Anant ko ek takk dekhe hass raha tha.

Sakshi: Aksh.... Ye tu kya kar raha he?
Wo gusse me Aksh ke samne khadi ho gayi, lekin piche se Anant use rok deta he.
Anant: Sakshi.... Koi baat nahi, it's okay.....
Sakshi: but sir.....
Anant: Sakshi..... I think right now you should be in the office.....
Wo Sakshi ki baat bich me kaat te hue kehta he. Fir Sakshi palat kar ek baar Aksh ko dekhti he or waha se nikal jati he. Sakshi ke jane ke baad Anant Aksh ke nazdeek akar ruk gaya.

Anant: yaar tumne to chay barbad kar di.... Koi baat nahi, ek or cup le kat ata hu....
Wo shaitani hasi ke saath Aksh ki aakho me dekhte hue kehta he. Or kisi se kehkar ek chay ka cup mangwa kar firse Aksh ki halat kharab karne lagta he. Kareeb ek ghante takk Anant Aksh ko torcher kar raha tha, Aksh ke andar bhi itni takat nahi thi ke wo Anant se ladd sake. Isliye wo bass Anant ka har humla sahe ja raha tha.

Thodi der baad waha Doctor bhi agaya, or usne Aksh ko Hospital me admit karne ke liye keh diya. Kyu ke uska bukhar kafi badh chuka tha. Aksh ko hatkadi pehna kar high Security me nazdeek ke Hospital me le jaya jata he, jaha uska ilaj hona tha.

Berehaal, kuch isi tarah din nikal raha tha, waha Sakshi din bhar apne kamo me lagi hui thi, or sham ko jab wo ghar jane ke liye nikli, to use Ashna (Kriti) se milkar ana thik laga, isliye wo pehle Ashna ke ghar chali gayi. Ashna bhi use dekh kar kafi khush lagg rahi thi. Lekin Sakshi ne dekha ke uski aakhe kafi laal ho gayi he, or wo kuch nashe me lagg rahi he.

Sakshi: Ashna, tumhari aakhe.... Kahi tum kisi tarah ka nasha to nahi kar rahi ho?
Wo andar akar Ashna ki bahe pakad kar kehti he. Uski baat par Ashna bass apna sar jhuka leti he, jis se Sakshi ko yakeen ho jata he ke Ashna nasha kar rahi he. Lekin jab Sakshi ki nazar samne pade table par gayi to usne paya ke waha white powder ki strips bani hui thi, Sakshi waha ja kar us powder ko ungli par lekar smell karti he to use pata lagta he ke ye to Drugs he.
Sakshi: Ashna tum pagal ho? Tum Ye sab kya kar rahi ho?
Ashna: or me kya karu Sakshi? Akela pann to waise hi mujhe maar dega....
Wo chillate hue Sakshi se kehti he.
Sakshi: ye tum kya keh rahi ho Ashna... Aise Drugs ka sahara lekar kabtak apna akela pann dur karogi? Kuch palo ke liye?
Ashna: kuch palo ke liye hi sahi, lekin ye mera akela pann to dur karta hi hena?
Sakshi: tum.... Tum pagal ho gayi ho.... Ashna tumhare parents ne kabhi ye nahi chaha hoga, ke unki beti aise kadam uthane lage....
Ashna: Sakshi me sach keh rahi hu, me chah kar bhi apne aap ko rok nahi pati... Koi nahi he jo mere saath baat kar sake, mere saath waqt guzar sake.....
Wo Sakshi ko gale lagakar rote hue kehti he. Sakshi bhi samajh jati he ke isme galati Ashna ki nahi he. Kuch der baad Sakshi ne use chup kar ke pani pila diya.
Sakshi: okay listen..... kal Saturday and Sunday mera office me off hota he.... To hum 2 din kahi ghumne jate he.....
Ashna: kya? Ghumne... Lekin kaha?
Sakshi: tum kabhi Mumbai gayi ho?
Ashna: Mumbai? Nahi me kabhi nahi gayi waha....
Sakshi: okay, so hum Mumbai jayenge. Me tumhe puri Mumbai ghumaungi.. and I'm sure you will Love Mumbai....
Ashna: okay....

Fir un dono ka Mumbai jane ka plan tay ho jata he. Sakshi kafi der takk waha bethi rahi, or wahi Ashna ke saath dinner kar ke apne ghar chali ayi.

Agli subah Sakshi Ashna lo lekar Mumbai jane ke liye nikal gayi, waise to wo Aksh ko aise 2 din akela chhod kar kahi nahi jana chahti thi, lekin usne is waqt Ashna ki halat ko zyada ehmiyat di. Is Mumbai ki trip par dono kafi ghul mil chuke the. Saks bhi bahot khush thi, kyu ke itne waqt baad wo Mumbai ayi thi, uska kafi mann tha apne purane ghar ko dekhne ka, lekin usne apna mann maar diya.

Khair, in 2 dino me Sakshi kafi refresh ho gayi thi, lekin dusri taraf Anant to bass Aksh ka haal batt se battar karne me laga tha. Or ab to Sakshi yaha nahi thi, to use zyada moka mil raha tha Aksh ko torcher karne ka.

Wednesday ke din Aksh ki Court me pehli Hearing thi, Sakshi bhi Sunday ko wapis laut ayi thi. Sakshi ne Anant ko kafi minnate ki, tabb ja kar Anant use bhi Court me ane ke liye maan gaya.

Tuesday ki subah Jail ke bahar kadi security me kuch gadiya khadi thi, Sakshi ye sab dekh kar kafi darr gayi thi.

Sakshi: sir.... Ye sab.... Itni security kis liye?
Anant: Sakshi ye sab Aksh ke liye hi he.... Tum janti ho na pichli baar Aksh band cell se bhag nikal tha, or is baar agar Aksh ne ye galati kar di to ye uske liye hi janleva ho sakta he.... Tum samajh rahi ho na?
Wo Sakshi ko Court ke orders ka darr dikhate hue kehta he. Ab Sakshi bhi wo sab soch kar chup ho jati he.
Anant: chinta matt karo Sakshi, agli Hearing me Aksh bilkul azad ho jayega.... Fir tum khushi khushi apni zindagi uske saath bita sakogi.....
Wo Sakshi ke kandhe par haath rakhte hue kehta he.
Anant: okay, me Aksh ko lekar ata hu.....
Sakshi: sir please me Aksh ko lekar aau?
Anant: Sakshi tum.....
Sakshi: sir please....
Anant: okay....
Fir Sakshi kuch Police walo ke saath Aksh ki cell takk pahoch jati he. Sakshi door open kar ke andar agayi or akar Aksh ke dono haath apne hatho me tham liye.
Sakshi: Aksh.... Dekh tu darna matt. Anant sir ne tujhpar lage sare ilzam jhute he sabit karne ke liye sare saboot ikhatta kar liye he.... Next Hearing me tujhpar koi bhi arop nahi hoga... You Will Be Free
Wo muskurate hue Aksh se kehti he. Lekin ye sunkar pata nahi kyu Aksh ko Ghabrahat hone lagi, waise to Aksh akhri baar yaha se nikalne ki koshish karne wala tha. Lekin wo janta tha ke agar usne bhagne ki koshish ki to wo zinda nahi bachega. Or usme Anant ne Sakshi ko bhi dhoke me rakha tha.

Aksh (mann me): Anant ne Sakshi ko andhere me rakha he? Wo nahi janti ke mere saath kya hone wala he.... Kya karu? Use sab sach batau?

Jabtak Aksh kuch soch raha tha or tabhi usne Sakshi ko kuch kehne ka mann bana liya, lekin usi waqt door par Anant ajata he.
Anant: Sakshi..... We are getting late.
Uske yaha ane se Aksh ko kuch bolne ka moka nahi milta. Uske baad Aksh ko charo taraf se Police gher kar Van me bitha deti he. Waha kul mila kar 4 gadiya thi, sabse aage Police ki 2 Jeep, uske baad bich me Aksh ko bitayi hui Van or piche Anant ki car, jisme Anant, Sakshi or Sana jane wale the.

Court me nikalne se pehle Anant waha rehkar kuch paperwork kar raha tha, Sana or Sakshi Security sunishchit kar rahi thi, lekin tabhi Anant ko apni Biwi ka call agaya. Anant ne 2-3 bar call reject kar di, lekin firse call ane par wo samajh gaya ke uski biwi ko zarur koi important baat karni hogi, isliye Anant ne call pick kar li.

A. Biwi: Anant please tum jaldi se Hospital ajao....
Anant: Hospital.... Kya hua? Or Tumhari awaz....
A. Biwi: Anant Rudra (Anant ka beta) ka Accident ho gaya he.... Me.... Me... Use Hospital lekar ayi hu. Tum jaldi ajao.....
Wo rote hue Anant se kehti he. Ab ye baat sunkar Anant ke pasine chutt gaye.
Anant: kya? Tum.... Tum Chinta matt karo.... Me bass kuch der me waha ajaunga....
Wo jaldi se call cut kar deta he or waha se nikalne lagta he. Use dekh kar Sana waha ajati he.

Sana: sir.... Kya hua? Aap itne pareshan kyu ho?
Anant: Sana.... Rudra ka accident ho gaya he... Wo is waqt Hospital me he to me wahi ja raha hu....
Sana: kya?
Anant: ha, tum please yaha sabkuch samjhal lena... Or ha Sakshi ko Kuch bhi kar ke Court ke andar matt ane dena, use kisi bahane se bhej dena....
Wo Van ki chabiya Sana ke haath me dete hue kehta he.
Sana: Okay sir.... Aap chinta na kare.....
Fir Anant tezi se Hospital ki taraf car dauda deta he.

Sakshi: kya hua? Sir kaha chale gaye?
Wo Sana ke samne akar puchti he.
Sana: Darasal unke bete ka Accident ho gaya he, to wo is Hospital me gaye he... Khair, chalo me apni car lekar ati hu....
Sakshi: Okay....

Uske baad sari gadiya ek ke baad ek Jail se bahar nikal jati he. Kuch duri par jate hi Sakshi apne Mobile me kisi ko Message kar rahi hoti he. Thodi der baad wo sab ek khule raste par pahoch gaye. Sabkuch bilkul Normal chal raha tha. Lekin tabhi ek chaurahe se Truck akar Aksh jis Van me betha tha use thokar maar deta he. Darasal wo thokar janbujh kar mari gayi thi, or wo itni tez nahi thi ke andar kisi ki jaan chali jaye. Ye dekh kar sari gadiya ruk gayi or sare Police gadiyo se utar kat Truck par humla karne lage. Lekin Truck me unse zyada log Gun liye mojud the. Or wo log bass Police par Goliya barsa rahe the. Wahi andar jese hi Truck ludka Aksh ne moke ka fayda utha kar ek Hawaldar se gun chinn kar andar ke tino Hawaldaro ko maar gira diya. Wahi Sana or Sakshi utar kar ek taraf ludaki hui Van ke piche chup kar Truck pe humla kar rahi thi.

Sana: Sakshi.... Tum dusri taraf se jao.... Me yaha sambhal leti hu.....
Uske Kehne par Sakshi ka koi bhi jawab nahi aya, isliye Sana piche mudi, lekin piche mudte hi uske hosh udd gaye. Kyu ke Sakshi ne uske sar pe Gun Point ki hui thi.

Sakshi: aapko kya laga? Anant sir or aap milkar mere begunah Aksh ko saza dilwa paoge? Maaf karna lekin aapki sazish puri nahi ho payegi......
Itna kehkar wo Gun ko reload kar deti he, Sana ne apna bachav karne ke liye Sakshi par Gun chalani chahi, lekin uske pehle hi Sakshi ne Sana ke sar me goli maar kar uska khel khatam kar diya. Sakshi ne aage akar dekha ke waha kisi bhi Police ki jaan nahi bachi he. Wo baki logo ko waha se jane ko bol deti he. Truck me zinda bache kuch log turant waha se faraar ho gaye. Sakshi ne sabse pehle Sana ki jeb se chabi nikal kar Van ka darwaza khol diya. Jese hi Aksh ko ehsas hua ke Van ka Door open ho raha he, wo darwaze par Gun point kiye tayar tha. Lekin jese hi door open hua uski ungli turant Trigger par se hatt gayi.

Sakshi: Aksh.... Jaldi se bahar aja....
Wo Aksh ka haath pakad kar use bahar ane me madat karne lagti he. Aksh jese hi bahar aya, Sakshi ne uske piche akar uski Collar me lage ek Tracking chip ko hata kar tod diya. Jis se koi bhi Aksh ko track na kar paye. Aksh ab bhi bilkul in sab se bekhabar tha. Sakshi use jaldi se car me bitha deti he, or car ko high speed se ek private Runway ki taraf le chalti he.
Sakshi: Aksh.... Meri bag me Shirt rakha he, jaldi se ise Change kar de.....
Uski baat sunkar Aksh bass use dekhe ja raha tha.
Sakshi: Aksh.... Tujhe samajh nahi araha me kya keh rahi hu? Ya yahi rehkar jo jurm tune kiya nahi uski saza me fasi se latakna he?
Wo kafi gusse me Aksh se kehti he. Aksh ko bhi is waqt or koi rasta nazar nahi araha tha. Usne apni kaidiyo wali shirt utar kar Sakshi ki bag se ek shirt pehen li.

Kuch der baad Sakshi ko Anant ka call ane lagta he, lekin Sakshi uske call ka jawab diye bagair tezi se gadi bhaga rahi thi. Kuch der baad wo Runway pahoch gayi, usne sabkuch pehle hi plan kar rakha tha, wo sidha Runway ke back se hokar main Runway ki taraf ajati he, jaha ek private plane khada hua tha.

Sakshi: chal Aksh.... Jaldi kar humare paas zyada waqt nahi he....
Aksh: kaha le ja rahi he tu mujhe?
Sakshi: in Matlabi logo se bahot dur.....
Aksh: me apna badla pura kiye bina kahi nahi jane wala.....
Uski baat sunkar Sakshi ko bahot gussa ajata he, or wo ek zordar thappad Aksh ko maar deti he.
Sakshi: bass ho gayi teri mann mani.... Kya karega yaha rehkar? Yaha tera saath koi nahi dega.... Agar kuch milega to wo tere na kiye hue jurm ki saza hogi.... or jaha takk baat rahi tere badle ki, to wo zarur pura hoga.....
Wo gusse me chillate hue Aksh se kehti he. Or use zabardasti Plane me bitha deti he. Jese hi plane take off karta he, Sakshi apna Mobile phone par News check karti he, jaha par Aksh ke saath saath Sakshi ke bhaag jane ki khabar flash ho rahi thi. Lekin ab jakar Sakshi chain ki saas leti he. Kyu ke wo dono Anant ke changul se bach chuke the. Sakshi ne Aksh par nazar dali tabb usne paya ke Aksh ke chehre par jo chote thi, unme se khun nikal raha he. Sakshi us khun ko saaf kar rahi thi, or fir usne pani ka glass apne haath me lekar Aksh ko pilana chaha, lekin Aksh ne gusse me Sakshi ka haath jhatak diya.

Sakshi: Aksh sach kahu, jab tu aise gussa karta he na to mujhe badi hasi ati he.....
Wo Aksh ka mazak udate hue kehti he. Lekin Aksh bina kuch react kiye waise hi betha raha. Sakshi ko firse Aksh ko pareshan karne ka dil karne laga.

Sakshi: waise mene thappad mara to wo zyada zor se nahi na laga?
Wo Aksh ka gaal sehlate hue kuch der pehle ki baat yaad dilate hue kehti or uspar hasne lagti he. Lekin ab Aksh ko gussa ane lag, wo gusse me apni chair se uthne laga ke tabhi Sakshi ne uska haath pakad liya.

Sakshi: accha sorry sorry.... Me aage kuch nahi Kahungi.... Promise.
Wo Aksh ko pakad kar seat par bithate hue kehti he. Aksh bhi fir wahi bethkar Sakshi ke aise behavior ke bare me sochne lagta he.

Kyu ke Surat Gujarat me tha, or Gujrat ka adha hissa Samandar ki taraf tha, isliye Kuch hi der baad Plane India ke Ocean Cost ko paar kar ke Arabian Sea ke upar udd raha tha.

Wahi dusri taraf Anant ko in sabki khabar milte hi wo Crime Scene par pahoch chuka tha. Usne dekha waha bass lashe hi lashe he, lekin usne paya ke Van ke paas Sana ki bhi laash mojud thi. Anant aage akar Sana ki laash ke paas khada ho gaya, usne paya ke Sana ke mathe ke bicho bich goli lagi he, or uske aakhe bhi khuli hui thi, Anant ne niche jhuk kar Sana ki aakhe band kar di.

Anant: Sakshi..... Tumhe bhi apne kiye ki saza zarur milegi.....


Pure desh bhar me Sakshi or Aksh ki news flash ho rahi thi, Aksh or Sakshi ke Mama or Mami bhi ye sab dekh kar dangg reh gaye the.

Wahi Anant ne CCTV ke zariye Sakshi ke bhag nikalne ka rasta dhund liya tha. Wo jald se jald us private Runway par chala gaya usne Sakshi ke bhag nikalne wale plane ki details to nikal li thi, lekin ek Private plane hone se use ye nahi pata chal paya ke wo plane akhir kis manzil par rukne wala he. Anant pakke taur par janta tha ke Sakshi Aksh ko lekar out of country chali jane wali he. Isliye usne Supreme Court ke zariye is matter ko International Court me bhejne ki iccha jata di. Ab isme to kuch waqt lagna tha, or shayad tabtak Sakshi Aksh ko lekar apni tay jagah par pahoch bhi jati.

Tabtak hum jaan lete he ke akhir Sakshi ko kese Anant ke irado ki bhanak lagg gayi. Darasal baat tabb ki he jab Sakshi Mumbai se laut ayi or apne kaam par lagg gayi.

Flashback:

Sakshi aaj din bhar kaam me kafi busy thi, wahi Anant Sana ke cabin me parso Aksh ki hearing ke bare me Sana se baatchit kar raha tha. Sakshi apne kaam se free hokar kuch files Sana ko dene ke liye ati he or waha Anant ko bhi pati he.

Anant: tum gayi nahi Sakshi Abtak?
Sakshi: ha sir bass ye file de kar ja hi rahi hu....
Anant: okay.... And please jate hue ye file mere cabin me rakh dena....
Wo ek file ko Sakshi ke haath me dete hue kehta he. Sakshi wo file lekar Anant ke cabin me chali gayi, usne file ko samne ki shelf me rakh diya, lekin tabhi uski nazar wahi padi ek file par chali gayi, jo ki Aksh ki file thi. Pata nahi kyu Sakshi ne us file ko ek baar dekhna chaha, lekin jese hi usne File ko open kiya to uske hosh udd gaye. Kyu ke usme jo kuch papers mojud the, wo Aksh ke khilaf the. Ye sab dekh kar Sakshi ke hosh udd gaye. Wo jaldi se File lekar Anant se is bare me baat karne Sana ke cabin ki taraf nikal gayi. Lekin uske per kadam cabin ke bahar hi tham gaye, kyu ke andar Anant or Sana isi mamle par baat kar rahe the.

Sana: but sir, hum ab Rana ko kese pakad payenge? Kyu ke jesa aapne socha tha ke Aksh ko Jail se riha kar ke hum Rana ka bhi khel khatam kar sakte the, lekin....
Anant: har baar plan humare mutabik nahi chalte Sana.... Me janta hu Rana ko Aksh badi asani se maar payega.... Lekin is waqt hume Rana se zyada khatra Aksh se he.... Isliye me Aksh ko uske kiye ki saza dilwana chahta hu....
Sana: yes sir sahi kaha aapne.... But sir Sakshi ke samne to ye baat ayegi hi na ke Aksh ko Riha karne ke nahi, balki fasi dene ke order aye he tabb.... Tabb hum kya karenge?
Anant: isme hum kya kar sakte he Sana? Aksh ko saza to milke hi rahegi, or ek criminal ko saza dilwane ke liye mujhe Sakshi se jhut bolna pada, uska mujhe koi afsos nahi he....

Yaha bahar khadi Sakshi ye sab sunkar bilkul dangg reh jati he. Uske to jese pero tale zameen hi khisak gayi thi, uska dimag kaam karna band kar gaya. Lekin tabhi Sakshi ne thande dimag se kaam Lena behtar samjha, or sabse pehle us File ko apni jagah rakh diya. Sakshi jab ghar laut rahi thi to usne plan bana liya ke wo Aksh ko yaha se kahi dur le jayegi. Kyu ke agar usne CBI me kisi ko bhanak takk lagne di ke use Anant ki asliyat pata chal gayi he, to waise bhi Aksh mara hi jata. Sakshi ne apne CBI Officer hone ka fayda uthate hue 2 dino me hi Aksh ke jhute documents bana kar uske or apne London jane ka intezam kar liya. Wo ye to janti thi ke wo London passenger plane se nahi ja payegi. Isliye usne ek Private Plane ka intezam kar diya. Aksh ki hearing ke din Sakshi ne hi Anant ke bete ka Accident karwaya take wo Sana ko akele handle kar paye. Or jo Truck bhar ke log waha aye the, unka intezam bhi Sakshi ne hi kiya tha. Or uska ye plan bilkul success raha.


Present:

Kareeb 9 ghanto ka safar tay karne ke baad Sakshi or Aksh London land kar chuke the. Sakshi ne pehle hi ek Lawyer se baat kar rakhi thi, jis se wo asani se yaha reh sake. Sakshi ne tabtak ek ghar rent par le liya tha. Jaha usne apne agle kuch din guzarna sahi samjha.

Khair, ghar me ate hi Sakshi ne khane ke liye kuch order kar diya, dono hi kafi bhuke the. Sakshi khana plate me nikal kar Aksh ke samne beth gayi, or apne haatho se Aksh ko niwala khilane lagi, lekin Aksh ne us se apna muh fer liya.

Sakshi: Aksh, please khana kha le.... Apne liye nahi to kam se kam mere liye kha le.... Tujhe bachane ke chakkar me pichle 2 dino se mene thik se khana nahi khaya.... Sachme ab bahot bhuk lagg rahi he mujhe, or agar tu kuch nahi khayega to me kese kuch kha lu?
Wo kisi baccho ki tarah roti shakal banate hue Aksh se kehti he. Aksh ne khud apne haath se hi niwala kha liya, jise dekh kar Sakshi mann hi mann hasne lagi.

Sakshi (mann me): dekha... Me janti thi tu mujhse kabhi bhi nafrat nahi kar sakta.... Kese choti si dhamki me meri baat maan gaya.... Bavlat.

Fir Sakshi bhi khana khane lagti he. Aksh to bina Sakshi se nazre milaye khana kha raha tha, lekin Sakshi ki nazre to Aksh se hatt hi nahi rahi thi.

Khair, jese tese dono ne kuch niwale kha liye, or uske baad dono fresh hokar aram karne ke liye sochte he. Lekin wo ghar kafi chota sa tha, jisme sirf ek hi bedroom tha, or bahar hall me sone layak jagah nahi thi. Aksh bedroom me akar zameen par hi let gaya, lekin Sakshi akele bed par kese let jati, isliye wo bhi Aksh ke bagal me let gayi. Ab Aksh bhi kafi thaka hua tha, isliye wo Sakshi ki taraf pith kar ke sone ki koshish karne lagta he.


To Be Continued......


To dosto ye tha aaj ka Update, Sakshi ki bahaduri or chalaki se aaj Aksh or wo Anant ke irado se bach nikle the. Lekin kabtak? Akhir kabtak wo is tarah reh pate? Kyu ke Anant ne to unhe fasane ki puri planning bana li thi. Wahi ab Sakshi bhi Aksh ke badle ko pura karne ke liye tayar thi, lekin apne desh se dur rehkar wo log kese Rana se badla le pate? Wahi jab Rana ko is bare me pata chalega tabb? Sawal to kayi sare he, lekin uska jawab to ane wale Updates me chupa he.


agar update accha laga ho to like zarur karna or comment kar ke apna view mere saath zarur share karna. agla update jald hi ayega till then stay tuned and keep smiling 😊 😊
 
315
395
63

Chapter 4 - Frozen Romance

Update 3

Mega Update



Word Count: 2420
Estimated Reading Time: 00:15:00


Radha: Aksh..... Beta zara chatt par ja kar ye Papad sukhane ke Sakshi ko de....
Aksh: thik he...
Fir Aksh Radha se sara saman lekar upar chatt pr chala gaya jaha Sakshi pehle se hi mirche dhup me sukha rahi thi. Sakshi ko dekh kar Aksh ke chehre par muskurahat ajati he, usne apne haath se sara saman niche rakh diya or jakar Sakshi ke piche khada ho gaya.

"Ek sawal tha tumse, Sunoge"
kaam kar rahi Sakshi ke kano me Aksh ki awaz ate hi wo piche mudkar Aksh ko dekhne lagi. Or Aksh aage akar Sakshi ki aakho me aakhe dalkar khada ho gaya.
Aksh: ek sawal tha tumse, Sunoge?
Muskurahat me saath muskura rahe ho, kal mayusi me saath doge?
Aaj jab bolta hu, to sabb sunte ho, kal Khamosh hounga, to Khamoshi Sunoge?
Aaj bhini bhini dhup he, kal jab andheri raat Darayegi, saath jaagoge?
Aaj bhid piche he, or tumhara kya sahara he, kal jabb bhid se akele Bhidunga, to saath Bhidoge?
Or aaj ye patang dekho kya udd rahi he, kal jabb hawa band hogi, tabb patang ki dor bankar saath Giroge?
Acche bure din to sabke aate he
Sukh me to saath ho, dukh me bhi rahoge?
Ek sawal tha tumse, Sunoge?










Ye Ishq bhi ek alag hi bala he, najane kyu insan is Ishq ke chakkar me apni har hadd paar kar jate he, jese Sakshi. Shayad koi soch bhi nahi sakta tha ke Sakshi apne Pyaar me is hadd takk ja sakti he, ke Aksh ke liye kisi ki jaan lena bhi uske liye badi baat na ho. Sakshi ne Sana ko maar kar ek nayi afat apne sar le li thi, wo afat thi Anant.

Waha Anant ki aakho se nind gayab ho gayi thi, uski aakho me tha, to sirf or sirf Gussa. Usne tay kar liya tha ke Aksh or Sakshi, dono ko unke kiye ki saza zarur milegi. Lekin wahi dusri taraf Rana or Kriti ne bhi ek tagda plan bana liya tha. Darasal jab ye news pure desh me fel gayi, tabb Rana ko apna plan fail hota hua dikhayi diya, lekin Kriti ne iska bhi ek upay nikal liya tha.


Yaha bahari Duniya se bekhabar Sakshi or Aksh thakan ke mare gehri nind me ja chuke the, lekin tabhi Aksh ki aakhe dhire dhire khulne lagi, jab wo apni nind se bahar aya to usne paya ke Sakshi kisi chote bacche ki tarah Aksh ki baho me jakde chain ki nind le rahi thi, Aksh ne ek baar ko Sakshi ka chehra dekh mano sabkuch bhula diya, lekin agle hi pal Aksh ki aakho ke samne apne Aai, Baba, Mansi, Aman or Kiran ka wo dard bhara kissa samne ajata he, jis se Aksh jhatke se Sakshi ko dur kar deta he. Is wajah se Sakshi ki bhi nind tut chuki thi. Aksh uthkar zor zor se saase le raha tha.

Sakshi: k... Kya hua Aksh tu.....
Wo aage akar Aksh ke kandhe pr haath rakhte hue kehti he, lekin Aksh turant uska haath apne kandhe pr se jhatak deta he, or uthkar washroom chala jata he. Uske aise behavior se Sakshi ko bahot bura lagg raha tha.

Sakshi (mann me): me kya karu? Kis tarah Aksh ko samjhau ke... Me bhi usi daur se guzar rahi hu, jis se khud Aksh. Jise tune khoya he, wo mere bhi Aai Baba the na Aksh.... Tu ye baat kyu nahi samajh raha.

Sakshi kafi nirash ho gayi thi Aksh ke bartav se, lekin sach to ye tha ke Aksh ne jo kuch hua wo apni aakho ke samne dekha. Or yahi wajah thi ke Aksh puri tarah se tut chuka tha.

Khair, kuch der baad Sakshi or Aksh breakfast kar rahe the, Sakshi ab bhi kafi udas lagg rahi thi, or Aksh ne bhi ye baat gaur kar li. Aksh ko bhi bura lagne laga, lekin wo bina kuch kahe breakfast khatam kar ke bahar jane laga. Tabhi Sakshi ne use rok liya.

Sakshi: Aksh.... Kaha jaa raha he tu?
Wo uthkar Aksh ke samne khadi hote hue kehti he.
Aksh: me yaha chupne ke liye nahi aya hu, mujhe bss apna maksad pura karna he....
Sakshi: Aksh, mera bhi maksad ab Rana ki maut he, lekin abhi jo halaat he, usme agar humne ek bhi galat kadam uthaya to humara maksad kabhi pura nahi hoga.....
Aksh: humara? Is maksad me tu apne aap ko shamil matt kar..... Aai Baba mere mare he, tere nahi. To tu.......
Is se aage ke Aksh kuch kehta, Sakshi ne zor dar thappad Aksh ko jadd diya.
Sakshi: k.... Khabardar Aksh.... Teri himmat kese hui ye kehne ki....
Wo gusse me Aksh ko ungli dikhate hue kehti he.
Aksh: kyu? Jabb tu banglore gayi thi, tabb to tune hum sab par FIR file karayi thi na? Tabb nahi laga ke jiske khilaf tu ye sab kar rahi he wo tere Aai Baba he? Or Aaj jabb wo dono nahi rahe to tere dil me unke liye itna pyaar agaya?
Wo Gusse me Sakshi ka haath niche karte hue kehta he, or uski baat ka jawab Sakshi ke paas bhi nahi tha. Aksh waha se turant bahar nikal gaya, or Sakshi bass wahi beth kar rone lagg gayi.

Khair, Aksh gusse me bahar agaya tha jabb wo ek shop ke samne se guzarne laga to usne dekha yaha ke local news me bhi Aksh or Sakshi ki khabar tasveero ke saath air ho rahi he, tabhi ek aadmi ki nazar TV se hatkar Aksh par padd gayi, Aksh to bss wo News dekh kar bina kisi chinta ke aage badh gaya, lekin wo aadmi chupke se Aksh ka picha karne laga. Darasal us admi ko lagg raha tha ke wo Aksh ko pakadwa kar bahot bada kaam karne wala he, lekin uski ye galati uspar bhari padd gayi, kyu ke Aksh ne us aadmi ko apna picha karte dekh liya. Aksh chalte hue ek bridge par se guzarne laga, or waha zyada bhid nahi thi, isliye Aksh furti se piche palta or us aadmi par jhapat pada, us aadmi ko to iski ummid nahi thi. Aksh ne use pakad kar niche gira diya, lekin utni hi tezi wo aadmi apna Knife nikal kar khud ke bachav me lagg gaya, Aksh ko to is knife se koi darr nahi tha isliye wo aage badhne laga, us aadmi ne bhi Aksh se ladne ka betuka faisla le liya or uspar dhawa bol diya. Lekin Aksh ne us aadmi ka haath pakad kar ek hi jhatke me niche gira diya, us aadmi ke haath se chaku bhi gir gaya tha, or ab wo Aksh ke haatho maut pane ke nazdeek tha. Aksh ne zordar mukke uske muh par marne shuru lar diye, us aadmi ka chehra puri tarah khun se sann chuka tha, lekin tabhi Aksh ne use utha kar bridge se niche, nadi me fek diya or bss us aadmi ka kaam khatam kar ke, normally aage badhne laga.

Waha Sakshi khud ko sambhal kar aage ki planning me juti hui thi. Usne sabse pehle Karim ko call kar diya.

Karim: hello...
Sakshi: Chacha me.... Me Sakshi....
Karim: Sakshi.... Beta tu.... Or ye sab TV me kya chal raha he, Aksh or tu kaha ho is waqt....
Sakshi: chacha Bahot lambi kahani he... Aapko me sabkuch bata dungi, lekin please itna samajh lijiye ke jo kuch TV pr chal raha he, waisa kuch nahi he... Aksh ko fasaya ja raha tha isliye.....
Karim: Sakshi me jata hu, tu or Aksh kabhi kuch galat kaam nahi kar sakte.... Mujhe tum dono par yakeen he.
Sakshi: thanks chacha hum par bharosa karne ke liye...
Karim: tum dono thik to ho na?
Sakshi: ha chacha.... Darasal mene aapko kuch kaam se phone kiya tha....
Karim: haa bol beta kya kaam he?
Sakshi: chacha hum is waqt London to aa gaye, lekin me nahi janti ke akhir hume kitna waqt yaha guzarna hoga.... Or itne samay takk rehna matlab utna paisa bhi saath hona chahiye... Chacha jab aapne or Aksh ne milkar apna pehla Business shuru kiya tha, wo ab kesa chal raha he?
Karim: Sakshi tu janti he, ye news dekhne ke baad bhi kafi sare purane customer yaha arahe he, jo Aksh ko jante the... Or wo to aaj bhi Aksh pr utna hi bharosa karte he, to ye Business kabhi nuksan nahi hone dega....
Sakshi: thank god..... Chacha to kya aap Aksh ka Hissa....
Karim: chinta mtt kar Sakshi, jabse Aksh or tu gayab ho gayi thi, tabse hi Aksh ke hisse me ane wala ek ek paisa mene alag rakha he.... Uparwala bhi kya karta he samajh nahi ata, shayad wo janta tha ke aisa bhi koi din ayega. To Sakshi Aksh ke hisse me kafi sare paise jama ho gaye he, tumhe zyada chinta karne ki zarurat nahi he.
Uski baat sunkar Sakshi rahat bhari saas leti he, kyu ke is waqt Sakshi or Aksh ki madat karne wali sabse ehem chiz paisa hi thi.
Sakshi: chacha aap nahi jante aapne ye kar ke meri kitni badi musibat dur kar di....
Karim: lekin me ye paise tumhare paas pahochau kese?
Sakshi: wo me aapko details bhej dungi... Lekin us se pehle aap is Business ko apne naam karwa lijiye....
Karim: kya? Lekin kyu?
Sakshi: chacha ab humari property, Business har chiz seize ho jayegi, me nahi chahti ke Aksh ne itni mehnat se banaya ye Business bhi.....
Karim: thik kaha tune... Me jald se jald sab kara deta hu...
Sakshi: okay
Karim: or tum dono apna Dhyan rakhna, or koi bhi zarurat ho to call karna....
Sakshi: thik he chacha..

Jese hi Sakshi ne call kaat diya, piche se Aksh ghat laut aya, Sakshi ne uske kapdo par khun ke nishan dekh liye. Or ye khun ke nishan dekh kr Sakshi kafi darr gayi

Sakshi: Aksh ye... Ye khun kese....
Wo Aksh ki bahe pakad kar us se puchti he. Lekin Aksh bina koi jawab diye aage badh jata he, or apna shirt change kar leta he. Aksh ke badan par chot na dekh kar Sakshi samajh gayi ke Aksh ne kisi or ko hi maar diya hoga.

Sakshi: kisi ko maar kar aya tu? Aksh teri galati ki wajah se hum pakde jayenge.... Yaha hum humare desh se bachne ke liye aye he, lekin tu is tarah yaha ke logo ko maar kar samajhta he ke hum yaha asani se reh payenge?
Wo kafi narazgi me or Sakth lehze me kehti he. Lekin Aksh to jese uski koi baat hi nahi sunn raha tha. Tabhi Sakshi ko kisi ka call agaya, usne dekha ke ye number Ashna ka tha.

Sakshi: Ashna tum.... Bolo kesi ho?
Ashna: Sakshi ye sab.....
Sakshi: Ashna ye bahot lambi kahani he, lekin ye sab hume fasane ke liye kiya ja raha he...
Ashna: me janti hu Sakshi, tum kabhi koi galat kaam nahi kar sakti. Mene to tumhe isliye call kiya, taki me Tumhari madat kar saku....
Sakshi: kesi matat Ashna?
Ashna: Sakshi mere Papa ke bahot nazdiki dost London me rehte he, jo ke Human Rights Commision ke member he, me unko bolkar tumhari har hadd takk help kar Sakti hu....
Sakshi: tum sach keh rahi ho Ashna? Agar aisa hua to meri kafi mushkile kam ho jayegi, me bhi Human Right Commision ka sahara lene ke bare me soch rahi thi, or usi ke liye haath per maar rahi thi....
Ashna: tum chinta matt karo Sakshi, me isi waqt uncle se baat karti hu....
Sakshi: thank you so much Ashna... Thank You
Ashna: c'mon yaar Sakshi.... Lekin tumhe ek baat batani thi
Sakshi: konsi baat?
Ashna: darasal me kal hi tumhe batane wali thi, lekin tumhara phone nahi lagg raha tha.
Sakshi: ha kal hume yaha ana tha to bss... Tum batao na kya baat he?
Ashna: mujhe London me Job mil gayi he......
Sakshi: kya? Tum sach keh rahi ho?
Ashna: haa..... Isi liye tumhe call kar rahi thi me...
Sakshi: ye to sachme bahot khushi ki baat he Ashna... Congratulations....
Ashna: thanks
Sakshi: to kab se Join karne wali ho Job?
Ashna: Next Week....
Sakshi: great....
Ashna: kya coincidence he na? Ab me bhi waha ajaungi, fir hum Milkar.....
Sakshi: nahi Ashna.... Meri zindagi me is waqt jo kuch ho raha he, us halat ke hisab se me shayad hi kisi se milna pasand karungi....
Wo Ashna mi baat bich me kaat te hue kehti he.
Ashna: me Samajhti hu Sakshi, or me bhi tumhari pareshani nahi badhaungi. Lekin kabhi kabar to mil hi sakogi ya wo bhi nahi....
Sakshi: zarur... Chalo ab baadme baate karte he...
Ashna: Okay....

Or fir Ashna call cut kar deti he.

Rana: Bahot badhiya.... ab tum bss apni London jane ki tayari karo....
Kriti: lekin Boss me ek baat nahi samjhi, aap to inhe dardnak maut dena chahte the... Lekin ab ye...
Rana: tum nahi samjhogi.... Kisi ko dhire dhire apni aakho ke samne marte dekhna kitna battar hota he me janta hu....
Wo bahot hi gusse bhari nazro se kehta he.
Rana: tum bss apna kaam thik se karna....
Kriti: chinta matt kijiye.... Rishi ko marne me koi galati nahi hui, to ab ye kon he....
Rana: Good, tum ja sakti ho ab....
Kriti: thik he.

Uske baad Kriti waha se nikal gayi, Rana kuch der wahi betha raha or uthkar ek kamre me chala gaya, jaha ek aadmi ko kursi par rassiyo se bandh rakha tha. Us aadmi ki halat Bahot buri ho chuki thi. Rana us aadmi ke nazdeek akar apna chehra uske chehre ke kareeb le jata he.

Rana: aise nahi marunga.... Agar marna hota to tabhi maar deta, jab mujhe pata chala ke mera sabse khas insan, Abdul mujhpar hi game Khel raha he.
 
315
395
63

Chapter 4 - Frozen Romance

Update 4

Mega Update


Word Count: 2280
Estimated Reading Time: 00:14:00


Raat ke andhere me chand ki roshni is dharti par padd kar Bahot khushnuma manzar dikha rahi thi, lekin is se ulat Aksh apni chatt par mayus sa betha asman ki taraf dekh raha tha. Tabhi Sakshi Aksh ko dhund te hue upar chatt par agayi. Usne dekha ke Aksh bass asman ki taraf ek takk dekhe ja raha he, tabb Sakshi uske bagal me akar diwar pr beth gayi.

Sakshi: kya soch raha he Aksh?
Uski awaz se Aksh apni duniya se bahar agaya.
Aksh: na.... Nahi. Kuch nahi....
Sakshi: accha? To ye chehre pr itni udasi kyu he?
Wo Aksh ka chehra apni taraf karte hue kehti he.
Aksh: nahi, udas nahi hu bss... Bss samajh nhi araha Zindagi me kuch kar bhi paunga ya nahi. Ya bss aise hi marr...
Sakshi: Aksh.... Tujhe kitni baar kaha he, tu aisi ulti sidhi baate matt kiya kar.....
Aksh: to kya karu? Samajh nhi ata kuch.
Sakshi: mitti bann ja Aksh.... Jis tarah mitti kisi bhi jagah dhal jati he, usi tarah... Usi tarah tu bhi bss har halato me dhal ja.... Itni asan to baat he....
Uski baat par Aksh bilkul chup ho gaya, or bass apna sar niche kar liya.
Sakshi: Aksh, halaat kabhi ek jese nahi rehte... Wo humesha badalte rehte he, or hume bhi halaato ke hisab se badalna hota he... Isliye keh rahi hu, Mitti bann ja Aksh.... mitti bann ja.


Yaha der raat Aksh khidki ke paas bethkar purani baato ko yaad kar raha tha, or tabhi Sakshi ki nind khul gayi, usne Aksh ko betha dekha or khud uthkar beth gayi. Kuch der ki Khamoshi ke baad Sakshi uthkar Aksh ke paas akar beth gayi, Aksh ne bass Sakshi ko andekha kar diya.

Sakshi: samajh nahi araha kuch, kis halaat se guzarna padd raha he.
Wo apni bhigi palko se khidki ke bahar dekhte hue Kehti he.
Sakshi: kaash.... Kaash me bhi us raat waha hoti, or wo Rana mujhe bhi jaan se maar deta, to aaj ye halaat....
Aksh: mitti bann ja.....
Wo Sakshi ki baat bich me kaat te hue kehta he.
Aksh: yahi kaha tha tune mujhe..... Shayad tujhe yaad dilane ki zarurat nahi he.....
Uski baat par Sakshi chup ho gayi or apne aasu saaf kar ke bss khidki ke bahar dekhne lagi.
Sakshi: Aksh, Abhinav sir ko tune nahi na mara..... Ye sab ilzam jhut he na?
Uski baat par Aksh apna sar niche kar leta he, jis se Sakshi heran si reh jati he.
Sakshi: A.... Aksh, keh de ke... Ke ye jhut he.... Please.
Aksh: mene hi mara he Abhinav sir ko.....

Uski baat sunkar Sakshi ko bahot hi bada jhatka laga. Wo bass Aksh ko herani se dekhne lagi. Lekin tabhi Aksh ki aakho se aasu behne lage, or wo Sakshi ko wo baat batane laga.

Aksh: jis raat.... Jis raat Rana ne ye sab kiya, uske baad meri himmat takk nahi thi mere pariwar ki chita ko aag lagane ki.........

Flashback:


Der raat 3 baje shamshan ghat par Aksh, Abhinav or Anant mojud the. Samne Radha, Santosh, Kiran, Aman or Mansi ki chita thi. Aksh ki aakho se Asuo ka tinka tinka takk beh chuka tha, wo bass kisi laash ki tarah ye sab dekh raha tha.

Abhinav: Aksh, chita ko aag lagao....
Lekin Aksh to apni sochne samjhne ki takat kho betha tha, wo bass ek takk samne padi chitao ko dekhe ja raha tha. Uski halat dekh kar Abhinav khud aage jakar sari kriyakram karta he, or sari chitao ko aag laga deta he.

Abhinav: Aksh.... Me tumse wada karta hu Rana ko itni battar maut dunga ke, uski bhi rooh kanp jaye...
Anant: haa Aksh. Lekin tum is tarah haar jaoge to....
Aksh: Aksh haar gaya.... Aksh marr gaya....
Itna keh kar Aksh tut kar rone laga, Abhinav ne use apne gale laga liya, jiski Aksh ko sakht zarurat thi. Aksh bhi bass Abhinav ko gale lagaye roye ja raha tha.

Present:

Aksh: uske baad.... Unhone mujhe apne saath, apne ghar rakh liya... Kuch din guzarne lage, lekin tabhi Abdul......

Aksh apni baat puri hi karne wala tha ke itne me ghar ka darwaza zor se khul gaya or andar 5-6 Police Force Aksh or Sakshi par Gun point karte hue andar agayi.

Police: Don't Move.... don't move, or I'll Fucking Shoot you.....
Achanak se ye sab hota dekh Aksh or Sakshi kuch samajh nahi paye, wo dono bass usi jagah khade ho gaye.
Police: get your Hands Up.... I said Hands up....
Wo Police Officer zor se chillakar dono se kehta he. Aksh or Sakshi ek dusre ki aakho me dekh kar situation ko follow karne ka ishara karte he. Uske baad Aksh or Sakshi ne apne haath upar kar diye, fir 3 Police wale Gun Point karte hue dono ki taraf badhne lage, Aksh ne Sakshi ki taraf dekha, jis se Sakshi samajh gayi ke unhe kya karna he. Tino Police wale savdhani se Aksh or Sakshi ke paas arahe the, jese hi wo log dono ke nazdeek aye Sakshi ne furti se 2 Police walo ki Gun pakad kar un dono ko niche gira diya, or usi waqt Aksh ne tisre Police par jhapat kar uski gun ko baki police par fire kar diya, ye sab itni jaldi hua ke kisi ko kuch karne ka waqt hi nahi mila. Is waqt Sakshi or Aksh kuch hi seconds me 6 Police Officers dher kar chuke the. Lekin ek Police darwaze ke bahar tha jisne Wireless par Force ko inform kar diya. Or bilkul shanti bana kar wahi khada raha. Jese hi Sakshi or Aksh khidki se bahar kudne lage us Police Officer ne Goli chala di, jo ki sidhi Sakshi ki pith me lagg gayi, or Sakshi wahi khidki se niche gir gayi. Aksh ne jaldi se Dusri gun se us Police ko dher kar diya or khidki se kud kar behosh Sakshi ko utha kar aage badhne laga. Lekin usi waqt sari Police Force is Area me ane lagi, ab Aksh ko yaha se nikalna bahot mushkil lagg raha tha, wo Sakshi ko lekar ek kone me chup gaya, or tabhi use samne ek Car dikhi, jisme se ek aadmi bahar akar yaha kya ho raha he dekh raha tha. Aksh ne bhagte hue uspar jhapat mar di, or uske mathe par Gun point kar ke use Hostage bana liya. Police ne Aksh ko dekh liya, lekin log kuch nahi kar sakte the. Aksh ne us aadmi ko Hostage bana kar pehle Sakshi ko car me daal diya, or us aadmi ko bhi apne saath car me bitha liya, kyu ke agar usne us Aadmi ko chhod kar bhagne ki koshish ki hoti to Police wale uski gadi hi uda dete. Is waqt sari Police cars Aksh ki gadi ka picha kar rahi thi, Aksh ne kafi tezi se apni or Police ki Gadiyo ke bich fasla bana liya, or ek turn ate hi usne pehle us aadmi ke sar me mar kar use behosh kar diya, or gadi ko speed lock kar ke turn par Sakshi ko lekar gadi se kud gaya, or jakar ek diwar ke paas chup gaya. Kisi bhi police wale ne ye hote nahi dekha or wo bass us gadi ka picha karne lage.

Aksh turant Sakshi ko lekar waha se bhag nikla kafi dur takk bhagne ke baad Aksh ne ek chota sa clinic dekha jaha usne andar jakar Gunpoint par Sakshi ka ilaj karwa liya. Waha sirf ek Doctor tha jisne apni jaan ke badle me Sakshi ki goli nikal di, or uski marham patti kar ke kuch dawai de di. Ab Aksh ko pata tha ke ye Gore log kisi ke sage nahi hote, us doctor ne Aksh ke jane ke baad Police ko inform kar dena tha, isliye Aksh ke paas us Doctor ko marne ke siwaye or koi chara nahi tha. Aksh apna kaam khatam kar ke Doctor ki car lekar Sakshi ke saath ek sunsan pahadi ilake me pahoch gaya. Usne sabse pehle gadi ko pakke raste se hata kar andar ki taraf le gaya.

Is waqt kareeb subah ke 4-5 bajne wale the. Sakshi ab bhi behosh thi. Aksh ke paas koi chara nahi tha siwaye intezar karne ke. Dhire dhire suraj ugne laga, Aksh pura waqt gadi ke bahar pehra de raha tha, saath hi saath Sakshi par bhi mazar rakh raha tha. Kuch der baad usne dekha ke Sakshi ke sharir me halchal ho rahi he, usne gadi me padi Pani ki bottle se Sakshi ko pani pilaya, Sakshi bhi dhire dhire apni aakhe kholne lagi, lekin jese hi wo hosh me ayi usne rona shuru kar diya, kyu ke use kafi dard ho raha tha. Aksh gadi me bethkar ek street vendor se kuch fal fruit le leta he. Or fir akar Sakshi ko kuch fruit khane ke liye de deta he. Dawai lene ke baad Sakshi ka dard kuch kam ho gaya tha.

Sakshi: A... Aksh, tere paas phone he?
Uske sawal par Aksh haa me sar hila deta he. Fir Sakshi uska phone lekar Ashna ko call kar deti he.

Ashna: Hello, kon?
Sakshi: Ashna me... Me Sakshi baat kar rahi hu....
Ashna: Sakshi tum, or ye kiska.....
Sakshi: wo sab badme puchna, mujhe tumhari help chahiye, darasal yaha Bahot badi problem ho gayi he...
Ashna: kya? Sakshi kya hua batao mujhe?
Fir Sakshi Ashna ko sari baate bata deti he.
Ashna: Tum thik ho na Sakshi?
Sakshi: ha hum thik he, lekin mujhe Tumhari madat chahiye Ashna...
Ashna: ha Sakshi bolo, me kis tarah help kar sakti hu tumhari?
Sakshi: tumne kaha tha na ke tumhare Family Friend Human Right NGO ke member he, to please tum abhi unse baat kar sakti ho? Kyu ke mujhe nahi lagta ke hum dono zyada der aise Police se bache rahenge.....
Ashna: thik he Sakshi, me isi waqt unhe call kar deti hu...
Sakshi: okay me tumhare call ka wait karungi
Uske baad Sakshi call kaat kar dard me karhane lagti he. Lekin Aksh to jese sab nazar andaz karne laga tha. Lekin ab Sakshi ka dard kuch zyada hi badhne laga, ab Aksh ne bina der kiye Sakshi ko pakda or uski pith apne taraf kat li. Is waqt Sakshi ne t-shirt pehna tha, or uski pith par andar patti bandhi thi, lekin Aksh ne dekha ke uski patti se khun behne laga he. Aksh ne Sakshi ka T-shirt upar kar diya or dhire dhire uske zakhm se pattiya hatane laga. Sakshi ka ghav to waise kafi dardnak lagg raha tha, lekin Aksh ke sparsh se to Sakshi ke sare dukh dard hawa hi ho gaye. Aksh ne jaldi se uski patti change kar di or gadi start kar ke waha se dono nikal gaye.

Kafi der takk dono aise hi apna chehra sabse chupaye bhatakte rahe, Aksh ne ek jagah se utar kar khana, or Sakshi ki kuch zaruri dawayi bhi le li.

Wahi Kriti or Rana me ek Human Right Commission ke member ko paisa, dhamki or apni jaan ki salamati de kar Aksh or Sakshi ko bachane ke liye tayar kar diya tha. Lekin ye sari legal formalities thi, jo ki yu kuch ghanto me naho hoti, ye baat sunkar Aksh or Sakshi ko rahat to mili, lekin Tabtak un dono ko Police se bachkar rehna tha.

Khair, raat ho chuki thi, Aksh ne gadi ek sunsan jagah laga di or dono bahar akar zameen par beth gaye khana khane ke liye. Khane ke baad Aksh ne Sakshi ke liye kuch kapde laye the. Jabtak Sakshi kapde badal rahi thi, Aksh ja kar pehra dena lagta he. Sakshi ko kafi thakan si mehsus ho rahi thi, isliye wo car ki seat par ulti let jati he. Aksh kafi der takk waha pehra deta raha, lekin ab use bhi kafi thakan chad chuki thi isliye wo bhi car ko or zyada andar ki taraf le chalta he, wo car ko bahot hi kam speed par chala raha tha, kyu ke Sakshi ki lete lete hi aakh lagg gayi. Ab Aksh ne gadi ko kafi safe jagah le aya tha. Isliye wo bhi seat ko recline kar ke bass aram karne lagta he, wo koshish kar raha tha ke use nind na aye, kyu ke raat me agar koi gadbad hui to. Isliye Aksh bss apni thakan hata raha tha, lekin ab use bhi bahot nind ane lagi thi, or tabhi Sakshi ki aakh khul gayi. Usne dekha ke Aksh Bahot koshish kar raha he apni Nind control karne ki. Tabb wo uthkar sidhi beth jati he.

Sakshi: Aksh, tu.... Tu so ja... Thodi der me pehra de deti hu.
Aksh: nahi me.....
Sakshi: Aksh mene kaha na..... Ye aise nind me kisi se ladd payega tu? Me janti hu ke nafrat karta he tu mujhse, lekin is waqt mil kar kaam karne ke alawa hum dono ke paas koi rasta nahi he.
Wo kafi gusse me or frustration me Aksh se kehti he, jis se Aksh bhi uski baat sunkar apni aakhe band kar leta he. Uske baad kafi der takk Sakshi chokanna rehkar pehra dene lagi.


Waha Rana usi kamre ki taraf badhne laga jaha usne Abdul ko bandh rakha tha lekin jese hi Rana ne darwaza khola, to uske hosh hi udd gaye kyu ke chair par Abdul mojud hi nahi tha.
 
315
395
63

Chapter 4 - Frozen Romance

Update 5

Mega Update



Waha London me Rana or Kriti ke dwara bheje gaye Human Right Activist ne Aksh or Sakshi se rabta kar liya tha. Ab Sakshi or Aksh bina dare bahar asakte the, lekin yaha ki Goverment ne Aksh or Sakshi par Legal Case to darj kar hi diye the, jis wajah se koi Aksh or Sakshi ko Rent pr ghar nahi de sakta tha. Lekin jese tese un dono ne apne rehne ka intezam kar hi liya, Sakshi waise to thik thi, lekin goli ke zakhm se usko kafi dard ho raha tha.

Is waqt dono kamre me mojud the, Aksh Sakshi ke chehre par uska dard saaf saaf dekh pa raha tha. Pata nahi kyu lekin ab Aksh se raha nahi gaya, usne aage badh kar badi himmat karte hue Sakshi ko apni baho me bhar liya. Itne arse se Sakshi ki bahe bass Aksh ko jakadne me liye hi tadap rahi thi, or aaj jab Aksh uski baho me tha, to Sakshi bilkul heran reh jati he or wo bhi Aksh ko kass kar apni baho me bhar leti he. Lekin tabhi Aksh jhatke se Sakshi ki baho me se alag ho gaya or zor zor se haanfte hue khidki ke paas jakar ruk gaya. Sakshi uske piche akar uske kandhe par haath rakh kar khadi ho gayi.

Sakshi: Aksh, ab or saza matt de mujhe.... Mene itne waqt se jo kuch saha he, ab mujhme or himmat nahi he teri berukhi sehne ki....
Wo apni bhigi hui palko se kehti he. Is baar Sakshi ki baat se Aksh ki bhi aakhe num ho gayi thi.
Aksh: Sa.... Sakshi, mujhme bhi himmat nahi he... Nahi he himmat fir se kisi rishte ko nibhane ki..... Mujhe kamzor nahi padna he, meri takat, meri kamzori har baar tu hi bani he.... agar tu Aai Baba ko insaf dilana chahti he, to bass Rana ki maut ke khayalo se dosti kar le.....
Is baar Aksh gusse me, ya akrosh me akar nahi, balki ek hara hua, nirash insan bankar ye baat kehta he.
Sakshi: Aksh bss tu ek baar keh de, ke tu mujhse pyaar nahi karta, me wada karti hu uske baad me kabhi bhi tujhe apni shakal nahi dikhaungi.....
Wo Aksh ke samne akar kehti he, lekin Aksh kuch bhi kehne ko tayar nahi tha, wo bass khidki ke bahar dekhe aasu baha raha tha. Tabhi Sakshi ne uska chehra apni taraf kar liya or ab Aksh or Sakshi ek dusre ki aakho me apna bita kal, apne suhane lamhe, Sabkuch dekh pa rahe the.
Aksh: S......
Jese hi Aksh kuch kehne wala tha ke tabhi koi door knock kar deta he. Jis se Aksh or Sakshi alert ho gaye. Aksh uthkar Gun haath me liye door pr Aim kar ke khada ho gaya, or Sakshi ko door open karne ke liye ishara kar diya. Sakshi ne savdhani se door open kiya or samne mojud insan ko dekh kar wo bilkul heran reh gayi, darasal bahar Kriti khadi thi use dekhte hi Sakshi door open kar ke use andar kinch kar door band kar deti he.

Sakshi: Ashna t.... Tum yaha.... Kese?
Wo Kriti ki bahe pakadte hue puchti he.
Kriti: are mene bataya to tha, ke meri yaha job lagg gayi he... Bhul gayi tum?
Sakshi: nahi... Wo to... Tum next week ane wali thi na?
Kriti: kya Sakshi tum bhi, mujhe laga mujhe yaha dekh kar tum khush ho jaogi, lekin.....
Sakshi: are nahi, tum galat samajh rahi ho... Me to tumhe yaha dekh kar Bahot khush hu, kafi waqt se kisi apne ki kami jaan le rahi thi meri....
Wo Kriti ko gale lagate hue kehti he.
Kriti: kya tum bhi, tumhara bhai he to tumhare saath.
Uski baat par Sakshi bss Aksh ki taraf dekhti he or aakhe nichi kar leti he.
Sakshi: wo sab thik he, lekin tumhe yaha ka Address kaha se mila?
Kriti: accha mazak kar leti ho, jis Human Right activist ne tumhari help ki he unhe mene hi tumhare bare me bataya he na? To mujhe unse hi pata chala ke tum yaha reh rahi ho.
Yaha Sakshi or Kriti ki baate chal rahi thi, lekin waha Aksh ko Kriti ka yaha ana shayad kuch khas raas nahi aya tha. Sakshi ne Kriti ke saath kafi waqt guzara, darasal Sakshi itne dino baad kisi se mili thi, or bass dono apne apne sukh dukh batne me lage the.

Khair, kuch der baad Kriti waha se chali gayi tabb Aksh ne Sakshi se is baare me baat karna sahi samjha.

Aksh: aise waqt me kisi aur ka yaha ana thik nahi he...
Wo kafi sakht lehze me kehta he.
Sakshi: Koi aur? Wo meri dost he, or jo hum yaha zinda bache he na, wo bhi Ashna ki wajah se hi he.
Uski baat par Aksh bss chup ho gaya.

Ab fir se is kamre me Khamoshi cha chuki thi, dono hi is khamoshi me apne dil me laakho sawalo ke jawab dhund ne ki koshish me the. Lekin is Khamoshi se Milo dur, Mumbai ke shor sharabe ke bich ek hatta katta aadmi apna chehra dhaape hue Karim ke Garage ki taraf badh raha tha.

Karim apne kaam me laga hua tha tabhi wo aadmi garage ke andar akar Karim ko awaz lagata he.

Aadmi: Suniye.....
Karim: Ji bhaijaan, kahiye....
Wo us aadmi ki awaz sunkar apna kaam rokte hue kehta he.
Aadmi: aap mujhe ye pata bata sakte hai, kafi der se dhund raha hu lekin....
Karim: are bhai, ye mohalle me pata dhund na matlab koi asaan chiz thodi he.... Dikhao kya pata he?
Wo aage akar us aadmi se parchi lete hue kehta he. Lekin jese hi Karim ne wo parchi dekhi to usme kuch likha hua tha. Jabtak Karim wo parcha padhta, wo aadmi yaha se nikal gaya.

Karim ne sabse pehle Sakshi ko call kar diya.

Karim: hello, S..... Sakshi beta ye.....
Sakshi: kya hua chacha? Aapki awaaz....
Uski baat sunkar Aksh ne phone sakshi se lekar speaker on kar diya.
Aksh: kya hua chacha?
Karim: abhi..... Abhi ek aadmi aya tha mujhse pata puchne ke liye. Lekin, lekin jese hi mene wo parcha dekha to usme likha tha ke.....
Sakshi: kya likha tha Chacha boliye na
Karim: usme likha tha ke.... "Anjaan Insano par bharosa nahi karte Aksh"
Ye baat sunkar na Sakshi ko kuch samajh aya or na hi Aksh ko.
Sakshi: chacha aapne us aadmi ko pehle kabhi dekha he?
Karim: nahi, uski awaz se nahi laga ke wo Mumbai ka he... Or wo to apna chehra dhaap kar aya tha.
Sakshi: ye kon ho sakta he?
Karim: beta Aksh.... Tu apna dhyan rakh. Mujhe bahot darr lagg raha he, koi aadmi jo tumhare bare me, or tumse jude logo ke bare me janta ho.....
Aksh: aap fikar na kijiye chacha, or bass apna khayal rakhiye, or agar kabhi aap par koi musibat ati he to or koi aapse humare bare me puche to use Sabkuch bata dijiye. Lekin apne aap par or chachi par koi musibat matt ane dijiye....
Karim: agar koi meri jaan bhi le le na... Tabb bhi tum dono ke baare me ek lafz kisi ko na batau me... Beta bass tum dono sambhalna, or waqt waqt par mujhe call karna.
Sakshi: zarur chacha.
Fir wo log call kaat dete he. Or bass yahi sochne lagte he ke akhir wo aadmi kon tha, or aisa message Aksh ko kyu de gaya.

Khair, raat ke 9 baje the or Sakshi khane ki tayari kar rahi thi, kuch der me waha Kriti bhi agayi. Pata nahi kyu lekin Aksh ko Kriti ka yaha hona bilkul thik nahi lagg raha tha. Isliye wo uthkar ghar se bahar chala gaya.

Kriti: kya hua Sakshi? Tumhara bhai aise......
Sakshi: wo aisa hi Kriti.... Nahi, balki meri wajah se hi wo aisa bana he.
Wo kafi nirasha bhare swaro me kehti he.
Kriti: tumhari wajah se matlab.....
Sakshi: tum bhi kya baate lekar beth gayi, chalo khana kha lo....
Fir wo dono milkar khana kha leti he, or bass dono baate karte beth jati he.

Kriti: kya hua Sakshi kafi pareshan lagg rahi ho....
Wo Sakshi ko gehri soch me duba dekh puch leti he.
Sakshi: n.... Nahi... Aisi baat nahi he, wo to me bass aise hi...
Kriti: koi baat nahi, matt batao. Me konsa tumhari apni hu jo tum mujhe apne dil ki baate bataogi.
Sakshi: tum bhi na Ashna, kuch bhi bolti ho...
Kriti: to fir batao kya baat he?
Sakshi: darasal aaj Mumbai se call aya tha, Karim chacha. Karim chacha ko kisi aadmi ne ek parchi di jisme likha tha ke "Anjan Insano par bharosa nahi karte Aksh" bass wahi soch rahi thi ke ye kon he or aisa kyu kaha he?
Uski baat sunkar Kriti bhi kuch sochne lagg gayi.

Kuch der ke baad Kriti bhi waha se chali jati he, lekin wo jate hue Rana ko is baat ki khabar de deti he, Kriti ko laga ke kahi Rana ne hi to aisa kuch nahi karwaya, lekin Rana khud soch me padd gaya ke in sab ke bich ye kon aadmi agaya.

Der raat takk Sakshi Aksh ka intezar kar rahi thi, ab use kafi darr lagne laga tha kyu ke Aksh ke paas Mobile bhi nahi tha, lekin tabhi uske dil ko sukoon mila jab usne Aksh ko apne samne dekha.

Sakshi: kaha chala gaya tha tu Aksh?
Aksh uski baat ka jawab diye bagair table par Sakshi ki kuch Medicine rakh deta he or jakar khana kha leta he.






Waha dusre Din raat ke 8-9 baje Karim apna kaam khatam kar ke garage band hi karne wala tha ke tabhi ek admi waha apni gadi lekar ajata he, tabb Karim bhi uski gadi thik karne lagg gaya, tabtak us aadmi ne phone par kisi ko kuch message kar diya, or agle hi minute waha 3 log or agaye, Karim ka dhyan apne kaam me tha, or tabtak baki logo ne jhatt se garage ka Shutter band kar diya.



Jaha Karim is waqt kisi badi Mushkil me tha wahi Sakshi ko Kahi na kahi Aksh ke dil me me apne liye mojud chinta dekh kar Bahot accha lagg raha tha. Bss is waqt halaat kuch aise the, ke koi kisi se shikayat nahi kar sakta tha. Har koi halaato ke hisab se chal raha tha. Ab ye halaat kab or kis tarah kahani ka rukh modte he, ye to aage pata chal hi jayega.
 

Top