Incest love story-TUNE MERE JANA,KBHI NHI JANA(completed)

Newbie
25
25
3
UPDATE 17



Ek jeeta jagta sahil ek machine ki tarah se hota ja rha tha...............jab bhi juhi use dekhti uske dil me ek tees si uthati..............kis kadar buri hoti hai ye muhabbat.........????????



Aaj sahil office jane ke liye taiyar ho rha tha jab uske phone ki ghanti baj uthi.......usne ek nazar apne wrist watch par dali aur fir phone utha liya............juhi ka phone tha...........



“hello” sahil ne kaha......... Dusri taraf sarfaraz saheb the............




“haa sahil beta ? ”



“jee unlce, kaise hai aap sab log.....khan baba kaise hai............”



“beta wo bahut serious condition me hai........bar bar tumhe bula rhe hai...........ho sake to aa jao.........” sarfarz sahib ka gala bhar aaya kahte kahte.



“kaissi bat kar rhe hain uncle .....mai abhi aata hu.......... aap bilkul tention mat lijiye baba thik ho jayenge.....” sahil ne kaha aur travel agent ko phone karke sabse pahla flight me ticket karne ko kaha.




Sahil lakh patthar banta gya tha to kya ........ahsaan faramosh nhi tha........us shakhs ne aaj use bulaya thi jiski muhbbat ne use ek nayi zindagi di thi, jin logo ne apno se jyada pyar kiya tha use.......sahil ne ek bar bhi apni meetings ya apne jaroori appointment ka nhi socha..........wo shakhs in sab chijo se bahut upar tha sahil ke liye.



Sahil turant delhi ke liye nikkal pada.




Hospital me pahuchte hi sabse pahle juhi ki nazar sahil par padi......aur uski aankhe chhalak gyi.



Jee me aaya ki daud kar sahil ke gale lag jaye lekin apne abba ki maujoodagi ne pair bandh diye uske.




Sahil unke pas pahucha aur juhi ki aankho me aansu dekhkar pyar se uske sar par hath phera..........




“sab thik ho jayega” bas itna kahna hi tha ki juhi sahil ka hath pakad kar apne aankho se laga kar jor jor se rone lagi.............sarfaraz sahib bhi behad bhavuk ho uthe.




“chup ho jao plz, juhi khan baba thik ho jayenge “ sahil ko samajh me nhi aa rha tha ki wo use chup kaise karaye.



Thodi der ke bad juhi badi mushkil se chup huyi.



Sahil khan baba ke pas pahucha......unki halat behad najuk thi.........aankhe band kiye lete huye the............saanse halki halki chal rhi thi...............sahil bed ke pas rakhe stool par baith gya aur unka kamjor sa hath apne hatho me le liya...........hath kafi thanda ho gya tha unka.



“baba” sahil dheere se bola.



Khan baba ki aankho se ek aansu bah kar unke galo ko bhigo gya..............



“aa gya mera beta” unhone sahil ke hath ko apne hatho me le liya aur dheere se aankhe khol di.



“aa gya baba.......aap bulaye aur main na aayu........?????” sahil bola.



“sahil , lagataa hai mera bulawa aa gya hai beta......” khan baba ne dheere se kaha...sahil ke pas me khadi juhi ka dil tadap utha...khan baba ne bachpan se uske liye ek maa, baap, dost........har farz ada kiya tha...........



“baba, khuda ke liye aise na kahe...........plsss” juhi ne rote huye kaha.




“aapko kuchh nhi hoga baba............”sahil bola.



“jana to ek din sabko hai mere bachcho...........sahil ek aakhiri tamanna hai ...ek iltiza thi tumse..........” khan bab ne badi umeed bhari nazaro se dekha sahil ko.



“plzz khan baba , aisa na kahe............sahil nam ki ye kasti to aise bhawar me fasi thi jaha iska doobna tay tha.........aapne us kasti ko kinara de diya.....ye zindagi aap sab ki amaanat hai.........aap iltiza kaise kar sakte hai.........aap hukm dijiye..........” sahil ne unke dono hatho ko apne hatho me lete huye kaha.




“beta , meri juhi bahut masoom hai.....maine kabhi dukh ka ek saya tak nhi padne diya apni beti par..........lekin ab bahut dar lagne laga hai.............zindagi me to bahut kuchh paa liya isne ....lekin duniyadari nhi janti meri bachchi................” khan baba bolte rahe.



juhi ki or dekha, wo chuchap apni aankho me aayi badh ko rokne ki kosis kar rhi thi aur apne hotho ko apne dato se dabakr siskiyo ko roke huye thi...



“sarfaraz ek behad achcha baap hai..........lekin kisi ke aansu ponchhne ki kubbat nhi hai usme........aur shayad wo mere bad bhi is duniya ke bhawar me hi phas ke rah jaye..........juhi ki bahut fikar hoti hai beta.........” khan baba bol rhe the aur juhi ki aankho se aansu nikal rhe the.


“plz baba ,,,,aap jyada baten mat Karen...........doctor ne mana kiya hai na........” juhi ne khud parr control karte huye kaha.



“bol lene de beta,,,fir ye saanse mauka de na de....... jaa jara sarfaraz ko bula la to...” baba ne juhi ko bahar bhejne ke liye hi shayad ye kaha.



Usne ek nazar sahil par dali aur bahar chali gayi.



“sahil beta jo kahne jo raha hu uske bad mujhe nhi pata tum kya sochoge mere bare me, lekin kahunga jaroor..............beta ye mat sochana ki jo thoda bahut tumhare liye kiya us ke badle me kuchh maang rha hu......nhi beta.....wo sab to tumhari jahaanat aur kabiliyat ke age kuchh nhi tha..........aur tumhari vajah se meri bachchi ne mera sapna poora kar diya.......... hamesa dil tumhe duayen deta rahta hai beta..........” khan baba ek pal ko ruke,



“sahil isi liye tumhe bulaya hai beta................meri jane ke bad meri juhi ka khyal rakhna.......ise kabhi udas mat hone dena........sahil mujh budhe ki aankhe itna to dekh sakti hai ki juhi ko bhi tumse bahut lagav hai.......bahut apna samjhti hai tumhe.........beta ye bat iske baap se na kah kar mai tumse kah rha hu......kyuki mujhe pata hai ki tum juhi ko sambhal loge.........beta si duniya ki kadi dhoop me ek saya bankar meri juhi ki hifazat karna ........uski har khusi ka khyal rakhna.... ...uski aankho me kabhi aansu nhi aane dena..............” khan bab ki bat se sahil ka chehra kafi gambhir hota ja rha tha.........aur juhi kabhi khan baba ko dekhti to kabhi sahil ko .




“sahil beta, mai janta hu ki bahut badi zimmedari tumhe de rha hu.......lekin beta tumse jayada bharosa mujhe kisi par nhi hai..........juhi bahut masoom hai..duniya me use ek sahare ki zaroorat hogi...........tum wo sahar bann jao sahil..........meri juhi ko apna lo beta....”khan baba ne kaha.



“khan baba....mai aapki koi bat nhi talna chahta.......lekinmujhe thoda sa waqt chahiye............” sahil bhi majboor tha.



“waqt hi to nhi hai mere pas beta.............jane kis pal ye saanse sath chhod de...........” khan baba ne thodi nirasha se kaha..



”koi bat nhi beta mai samjhta hu...tumhari bhi apne pasand hai ....apni zindagi hai...........” khan baba bole.badi mayoosi thi unki nigaho me..




Sahil ke muh se khud ke liye gali nikal gayi.............us insan ko inkaar kar diya tha jissne use uske sabse bure waqt me sahaara diya tha...........



”sahil agar aaj apna farz nhi nibha paya to zindagi bhar tu khud ko maaf nhi kar payega” uske dil se aawaz nikli..........ek pal ko aarti ka chehar nazro ke samne aa gya.




“I m sorry khan baba...maine aap ka dil dukhaya...plss maf kar dijiye...........” sahil ne kaha..



“nhi beta .....koi bat nhi mere bachche....”




“mai rakhunga juhi ka khyal khan baba..........mai use duniya ki har khusi dunga........aapse vada karta hu mai.........juhi ki rah me aane wali har musibat ko mujhse gujar kar ustak jana ho ga...........aap koi fikar na kare khan baba...zindagi me aaj tak maine kuchh sahi nhi kiya........koi achchha kam nhi kiya............lekin ye vada mai nibhaunga khan baba.........mai juhi ki aankho me kabhi aansu nhi aane dunga..........vada hai mera “ sahil ki aankho me ek chamak thi .




“jeete raho mere bachche........khuda tumhe duniya ki har khusi de..............ab sukoon se mar sakunga mai...........ek bar gale lag ja beta.......” khan baba ne sahil ko gale se laga liya.




Darwaze ke thik pichhe khadi juhi sab kuchh sun chuki thi.......use sahil ke jawab ka intzar tha isilye wo whi ruk gayi thi.............usne apne aankho ke aansu ponchhe aur bahar chal di sarafarz sahib ko bulane.



Ek patthar ki si sakht thi juhi ke chehre par.......bar bar yhi khyal aa rha tha uske man me ki sahil ne haa sif isliye kaha hai kyuki unhe lagta hai ki humne unpar ahsaan kiya hai..............pyar to aaj bhi wo aarti se hi karte hai.




Sarfarz sahib andar pahuche sahil bahar nikal gya..........khan baba kafi der tak sarfaraz se bat karte rahe ...aur fir unhe apne gale se laga liya..



Do din bad khan baba ki saanso ne aakhir unka sath chhod hi diya........juhi to mano patthar ki ho gyi ..........use apne khane peene ka koi khyal nhi hota.......din bhar aansu bahati ........sahil ne office se 15 din ki leave li aur sachmuch juhi ka saya hi ban gya...........use jabradasti kuchh kuchh khilata ........hamesa uske sath rahta ......pal bhar ko bhi use akela nhi chodata tha...........juhi ko sahil par bahut pyar aata tha.........lekin fi use wo hi bat yad aa jati............”sahil ye sab sirf ek ahsaan utarane ke liye kar rhe hai......mujhse muabbat nhi hai sahil ko”.........is soch kea age nhi badh paa rhi thi juhi.



Sarfaraz sahib ne sahil se bat ki aur khan bab ki kahi sari baten use batayi..........khan baba ne dono ki shadi kar dene ko kaha tha......aur sarfaraz sahib ko bhi koi aitraz nhi tha......unhone khud ek hindu ladki se nikah kiya tha.............to dharm jaat ka koi bandhan pahle se hi nhi mante the...... aur ...sahil ek bahot bada officer ban chukka tha....ek achhha insaan tha............apni beti ke liye is se jyada aur kya chahiye kisi bhi baap ko.




Sahil ne thoda waqt mangaa tha......apne liye nhi, juhi ke liye.......






Juhi bhi ab sambhalne lagi thi lekin sahil ko apni nazro se ek pal ko door nhi hone dena chahti thi....uska dil ek do rahe par aakar khada ho gya tha.........wo nhi chahti thi ki ek al ko bhi sahil us se jud ho lekin bar bar dil me aa jat tha ki sahil mujh se muhabbat nhi karte.




Aur sahil duniya jahaan se beniyaaz juhi ki khusi ke liye sab kuchh karta ja rha tha.............koi bhi use dekh kar nhi kah sakta tha ki wo ek IAS officer hai....juhi ka kisi chhoti bachchi ki tarah khyal rakhta.




Sarfarz sahib ne apni ek business partener se shadi ke liye juhi ki permission mangi .............juhi kyu mana karti bhala.....20 sal se uske abbu akele jee rhe the.........agr aaj unhe koi sahaara mil rha tha to wo kyu mana karti bhala.......usne khusi khusi kah diya ki “ abbu aap nikah kar le mujhe koi aitraaz nhi hai”



Sarfaraz sahib ne ek aur ghar le liya tha..........juhi wha nhi rahti thi .....sarfaraza sahib ne lakh kosis ki par wo nhi gyi aur fir sarfaraz sahib bhi purane ghar me hi aa gye.........apni beti ko akela kaise chhod dete bhala...lekin aaj bhi wo juhi ko bahut jyada waqt nhi de pate the.




juhi udas rahti thi ...bahut udas ...........ek nadi si bahne wali juhi ek thahri huyi jheel ban gyi thi...............



“juhi tum apna transfer lucknow karwa lo.........mere pass...” sahil ne ek din bato hi bato me kaha.........sirf wo tha juhi thi..............




Sahil ki chhutiyan khatm hone wali thi .....par wo juhi ko chhod kar jana nhi chahta tha.



Juhi ne sooni sooni aankho se uski or dekha aur fir nazre jhuka li.




“kya hua” sahil ne pyar se uska hath apne hatho me le liya...........juhi ki kuchh nhi boli bas uski aankhe bhar aayi.




“kya hua babu” sahil bola.




“sahil , aap is liye ye sab kar rhe ho na ki kyuki aap ko lagta hai ki hum sabne aap par ahsaan kiya hai??? Hai na sahil........????” juhi ne aaj wo kah diya jo bahut din se uske dil me tha...jiski vajah se wo chah kar bhi sahil ke karib nhi aa paa rhi thi.


Sahil ne uski aankho me dekha.......aansuo se bhari wo badi badi aankhe sahil ko bahut dukh de rhi thi....chah kar bhi wo jui ki aankho me aansu aane se nhi rok paya tha.




Sahil chuchap uski aankho me dekhta rha aur fir use khinch kar apne seene se laga liya............juhi bilakh bilakh kar rone lagi..........



Aaj fir se wo patthar pighalne lagaa tha.



juhi ke muhbbat jeet ki dahleez par pahuchti nazar aa rhi thi lekin sahil ki muhabbat ? shayad use khud nhi maloom tha ki uski muhabbat har rhi hai ya jeet rhi hai........aur aarti ki muhabbat .....shayad har chuki thi.

Juhi yuhi sahil se lagi roti rahi .........sahil samajh nhi paa rha tha ki wo kya kare.............ek taraf uske bachapan ki muhabbat thi tha jo use chhodkar chali gyi aur dusri taraf wo ladki thi jis ne bina kisi swarth ke use apni baho me panah di thi.............. wo bhi tab jab sath wo zindagi ka daman hi chhodne wala tha



Faisla karna shayad itna mushkil nhi hna chahiye tha......lekin “” bachpan ka pahla pyar !!!!!” Sirf wahi samjh sakta tha jisne kiya ho aisa pyar.bahut mishkil yha bachpan ki pahli muhabbat ko bhool pana.



“hai na sahil ...aap nhi karte na mujhse muhabbat.............?????” juhi ki aankho me aansoo the aur un aansuo me ek mayusi thi....... Sahil se uski sooni aankhe bardasht nhi ho rhi thi..........



Sabkuchh to kiya tha juhi ne sahil ke liye aur aaj khan baba ke jane ke bad use sachmuch ek majboot sahare ki jaroorat thi ........sahil ne pyar se uske balo me hath phera .........



“I m sorry juhi....maine tumhe bahut rulaya hai na...........ab kabhi nhi rulaunga........chalo tum yha se .....ab hum sath rahenge.........hamesa sath rahenege.......hamesa hamesa ke liye...” sahil ne uski aankho me dekhte huye kaha.



Juhi ne dabdabayi aankho se sahil ki or dekha ............mano puchh rhi ho sach me ???????



Sahil ne haan me sar hilaya......



“tumhari kasam juhi “ bas itna hi kaha aur uske mathe ko pyar se choom liya.




Juhi sahil se lipat gayi ........uski aankho me ek bar fir se aansu aa gye.....lekin is bar ye aansu khusi ke the.



Doosre din hi juhi ne apne transfer ke liye apply kar diya....aur apne abbu se permission lekar sahil ke sath LUCKNOW aa gyi............



Sahil ko official residence mila hua tha...... juhi ko alag se milna tha par usne lene se inkar kar diya aur sahil ke sath ek hi ghar me rahne lagi.




Juhi aur sahil ka rishta ek vishwas ka rishta tha.............juhi sahil ko apni jaan se jyada chahti thi aur sahil juhi ko apni zindagi se badhkar manta tha.......juhi uske liye muhabbat se bhi upar thi........wo sachmuch hi uski ibadat karta tha apne dil me .........lekin ab shayad juhi ko iabadat nhi, muhabbat ki jaroorat thi..........



Sahil juhi ka har tarah se khyal rakhta..........uske liye juhi se badhaker kuchh nhi tha........lekin abhi bhi ek deewar thi un dono ke bich me jo gir nhi pa rhi thi.................aur sahil chah kar bhi muhabbat ke kadam uski or nhi badha paa rha tha.......... .juhi bahut masoom thi........wo khud bhi sahil ki or nhi badh paa rhi thi . ek hi ghar me rahte huye bhi dono aaj bhi dosti ki had se aage nhi badh paa rhe the.........lekin use yakeen tha ki ek na ek din saahil ki muhabbat uka daman tham legi aur wo us din ka intzar kar rhi thi.........



NOVEMBER ka month start ho chukka tha ........zabardast thand pad rhi thi........sahil aur juhi ko sath rahte almost 2 month ho chuke the .....par abhi bhi dono muhabbat ke haseen safar ki suruwat nhi kar paye the..............



Lagbhag 6 baj gaye the sham ke ....Juhi abhi office me hi thi ..........IT department ki head hone ka bhi apna hi headache tha............wo behad imandar aur efficient thi .......lekin chehre se masoomiyat nhi jati ...kahi se bhi ek robile chehre wali INCOME TAX OFFICER nhi lagti thi ....




juhi, office se ghar aur ghar se office.... yhi routine tha uska...........salary bhi kafi achchhi thi lekin life me koi charm nhi tha...........sahil ke sath rahna apne aap me ek khusi thi ........aur wo to bas itane se hi khus thi.......aur isiliye juhi ko zindagi se koi shikayat bhi nhi thi......sarfarza sahib bhi kabhi kabhi milne aate rahte the.



Sahil ko rahne ke liye jo ghar mila tha wo kafi bada tha.........do bedroom the .......aur dono me attached washroom tha......ek juhi use karti thi ek sahil .



Roj ki tarah aaj bhi juhi office se ghar pahuchi.........sahil ki gadi bahar nhi thi iska matlab wo abhi nhi aaya tha.............juhi chalte huye seedhe apne bedroom me pahuchi..........jab sahil nahi aaya tha to vaise bhi bahar rukne ka kya fayada.




Usne room ki light jalayi........par light jali nhi...........juhi ko thoda ajeeb laga......usne off karke fir on kiya....fir bhi nhi jail..........juhi ko thodi si gusaa aa gyi..........usne apne phone ki flash light on kiya aur pichhe mudkar darwaje ki or badhi......darwaza bahar se band????? Juhi ne khicha parr koi asar nhi...........



Ye kya ho rha hai sab..........juhi ko ab thoda thoda dar lagne laga.........usne ek do bar aawaz lagayi ki bahar khade security guard shayad sun le......par koi fayada nhi hua..........wo gate ke bahar hote the.......fir uske bad chhota sa lawn tha......fir ek baramada type hall aur fir rooms.......to aawaz pahuchana mushkil hi tha...........usne apna phone nikala aur sahil ko call karne lagi.......juhi apne phon ko kan se lagaye hi thi kiiiiiii......achanak kisi ne use pichh se baho me utha liya..............




“aah...........k..kk...kaun hai......”juhi ne jaldi se khud ko chhudaya aur mobile ki roshni us sakhs ke chehre par dal di..........



“sahill...........aapppp” sahil halke halke muskkura rha tha........



“aap bahut gande ho.......pata hai mai kitni dar gyi thi ........” juhi ki aankh me sach me aansu aa gye the



“sorryyyy” sahil ne kan pakad kar kaha.... .juhi ko hasi aa gyi.



“ye kya ho rha hai sahillll......” juhi ne muskurate huye puchha.......



“ummm...kya ho rha hai.......tum dar gayi thi aur kya........” sahil ne bade maje se jawab diya......




“mera matlab....ye ye...ye light bhi nhi jal rhi... “ juhi thoda sa Sharma gayi



“tum bolo to jalne ko .......dekhe jara kaise mana karti hai........”sahil bola...juhi ko samjh me aa gya ki sahil ki hi sharart hai kuchh...lekin ye sharart use bahut achchi lagi thi........




Usne halke se muskura kar sahil ki or dekha..........



“sahil plzz...” juhi ne kaha.



“maine kucchh nhi kiya..........aaj ye sirf aapki hi bat sunegi.........boliye to ek bar............” sahil ne kaha.



“kya bolu...........” juhi boli.




“yhi ki lighit on ho ja.......” sahil aaj mood me lag rha tha.



Juhi ko aaj sahil ka ye masoom sa roop bahut pyara lag rha tha.......aur usne bas sahil ki khusi ke liye hi bol diya...........



“light on ho ja.........”



Kuchh nhi hua aur kamre me abhi bhi gupp andhera tha bas juhi ke phone ki roshni me dono ek dusre ke chehre ko dekh paa rhe the...



“kuchh bhi nhi hua........dekha aap ne.......ab bas naaaa ...plss” juhi ne sahil ki aankho me dekhte huye kaha.




“Bas ek bar aur...........”



Juhi ne fir se kaha .......fir kuchh nhi hua.............



“sahillll.” Juhi ko ab thoda thoda gussa bhi aa rha tha aur sahil par dher sara pyar bhi.



“bas ek aakhiri bar..............plsss” sahil ne kaha aur juhi ne uska dil rakhne ke liye fir se kaha.........



“light on ho ja.......”


Fir se kuchh nhi hua..........abki bar to juhi ko gussa aani hi thi.............



“enough is enough,...maine kaha na kuchh nhi.............”juhi ka gussa dil me adhoora rah gaya aur uski bat juban par....



Kamre ki wo light to nhi jali lekin kamre ke bicho bich tangaa hua bada sa jhoomar jal utha......aur poora kamra uski neeli roshni me naha gya.... ye jhoomar aaj se pahle to nhi tha is room me.....sath hi room ke bich me ek table par rakhe bade se cake ki sari lights jal uthi aur room me slow music “ happy b’day to you “ chalne laga........



Aaj 16 november tha juhi ka B’DAY.



Juhi ko laga jaise wo kisi aur duniya me hi aa gyi......poora room balloons se aur stickers se sajaya gya tha..........ek bada sa aquarium rakha hua tha ek kone me jisme rang birangi fish tair rahi thi.........



Juhi ko khud bhi yad nhi tha ki aaj uska B’DAY hai ...........har bar khan baba yad dilate the aur is bar.............sahil ne.



JUHI ki aankhe bhar aayi..........



“thank u sahil........” juhi ne uski aankho me pyar se dekhte huye kaha aur apne aansuo par kabu pane ki kosis karne lagi........aaj use khan baba ki yad aa rhi thi.



“nhi..plz rona mat yar...abhi bahut se progrmme soche hai maine plz...........rona mat” sahil ne uske ek aansu ko apne hatho se saf karte huye kaha.........juhi sahil ke gale lag gayi.......


“thank u sahil ......aapko yad tha ...thank u so much sahil.... ........” juhi ke dil me ek nayi umeed ne janm liya tha mano.



“jinhe ham pyar karte hai unki chhoti chhoti khusi ka khyal bhi hame rakhna padta hai ...............” sahil ne dheere se uske kan me kaha.



Juhi jhat se us se alag ho gyi............ ye kya kah diya aaj sahil ne........... ...jo sun ne ke liye uske kan taras gye the aaj wo bola diya tha uske mahboob ne............juhi ke dil me jaise naye phool khil uthe the.........uska man jhoom jhoom ke nachne ko kar raha tha.........par wo kuchh na kar saki.............bas nazre jhuka kar sharmane lagi............abhi ek khusi bhi hazam nhi ho payi thi ki sahil fir se bol utha...............



“juhi , mai kuchh laya hu tumhare liye............” sahil ne juhi ke hath me ek shopper rakh diya......



“kya hai ye sahil.......” juhi ne kaha.


“dekh lo kya hai.........” sahil ne kaha.


Juhi ne shopper khola..........ek green colour ki sadi thi usme ...
bahut hi lazwab pasand hai sahil ki , juhi apne man me sochne lagi....sahil mere liye sadi laye hain........hayeee


Juhi ko lag rha tha ki aaj wo sharm se mar hi jayegi............



“kya hua .......pasand nhi aayi.” Sahil use chup dekhkar bola ...



“nhi ye to bahut khoobsoorat hai......” juhi ne kaha



“nhi, ye khubsoorat tab ho jayegi jab tum ise pahan logi.........” sahil eka-ek bol gya....... Aur fir khud bhi thoda sa sharminda ho gya...juhi to sharam se gadi ja rhi thi.......lekin use sahil ka yu ijhaar karna behad achchha lag rha tha..........



“sahil mujhe nhi aati sadi pahnne.............” usne bahana kiya...........kaise aayegi sahil ke samne sadi pahan kar .....use bahut sharm aa rhi thi.



“juhi mera dil kiya mai le aaya...............agar tumhara bhi dil kare to pahan lo .........ab jao jaldi se change karke aao fir cake kat te hai.........” sahil ne apne dil ki bat kah di.



“Sahil aap bahar jaiye jab mai bulau tab aaiyega.........” juhi ne kaha ...


“kyu ..”



“matlab??????...mujhe change karna hai to ????????? .......” juhi ki aankhe hairat se bad ho gayi sahil ke kyu kahne par..


“haan...m..mera matlab tha ki washroom me change karogi na.....ok mai jata hu........” sahil sakpka gya aur fir chuchap room se nikal gaya.


“ekdam hi buddhu hai.........lekin bahut pyare hai..” juhi ne sahil ke jate hi khud se kaha........aur muskurane lagi.



Usne apna ward rob kholo aur ek matching colour ka blouse nikala aur sadi se match karke dekhne lagi...
Blouse ekdam matching hi tha..........


Vaise to juhi sach me sadi nhi pahnati thi par ek do bar usne apne training ke time par music function me pahni thi aur , ek do bar kisi kisi marriage function me bhi....to uske pas ek do sadiyan thi aur use pahnna bhi aata tha.......lekin aaj sahil ke samne pahnne me use sharm aa rhi thi......par sahil itane pyar se uske liye laya tha .......kaise mana kar deti bhala.



juhi ne sadi pahna aur aainne ke samne khadi hokar khud ko niharne lagi......
“sahil mere liye ye le aaye.........aur wo bhi to kahaki jinhe ham pyar karte hai unki khusi ka khyal rakhna padta hai.......sahil mujhse pyar karte hai...muhabbat hai unhe mujhse........par bade badmash hain...ijhar bhi kiya to kaise......seedhe se nhi bol sakte ki juhi tumse muhabbat ho gyi hai.........hmm ...koi bat nhi sahil jee ......ek din ham aapse bulwa hi lenge........aap hamse pyar karte hai itna hi bahut hai hamare liye to............” juhi aaine ke samne khadi khud se hi bate kar rhi thi aur halka fulka make up bhi kar rhi thi........



Lagbhag 30 minute bad juhi ne door open kiya aur sahil ko aawaz di...do bar bulane ke bad bhi sahil nhi aaya aur unka home servant bhagta hua aaya........



“Mem sab, wo sahib kisi se phone par bat kr rhe hai...bole hai ki abhi aate hai........”



“thik hai....kaka wo, saheb aaj office se jaldi aa gye the kya ?? ” juhi ne puchha.




“jee mem sahib , sahib to aapke jane ke turant bad hi aa gye the... ...lagbhag 11 baje subah ko” naukar ne kaha.



“thik hai aap jao........ghar chale jao ......aaj hme kahi bahar jana hai........” juhi ne kaha .



“Iska matlab sahil ne aaj chhutti ki thi.....aur ye sab kuchh khud kiya hai..........” juhi man me sochne lagi aur uske man me sahil ke liye aur jyada muhabbat badhne lagi.




“thank u sahil......maine aapko bilkul sahi pahchana hai.....aap wakayi muhabbat karne ke layak ho......jee chahta hai aapko duniya se churakar apne dil me chhupa lu.” Juhi man hi man soche ja rhi thi jab sahil darwaje par nazar aa gya.......


Sahil ki nazar juhi par padi aur wo palke jhapkana hi bhool gya..............


Juhi khubssorat to hamesa hi lagti thi lekin aaj to wo qayamat hi lag rhi thi........green colour ki sadi aur full sleeve blouse me uska gora rang khub khil raha tha......kalaiyo me hari hari chudiya aur hotho par halki si lal lipstic.......gale me ek patli si chain aur un badi badi aankho me kajal.....khule huye lambe kale bal aur chehre par aati un balo ki kuchh laten.........aur un sabke bad us masoom se mukhde par ek pyari si muskan........ufffff.........


yauvan ke rang se poori tarah rangi huyi wo haseena aaj sachmuch itani khubosoorat lag rhi thi ki menka jaisi apsara bhi sharma jaye uski khubsoorati dekhkar .



Sahil ek tak dekhe jaa rha tha use...



aur juhi uske is tarah dekhne se sharam ke mare pani pani ho rhi thi.......lekin aakhir uske liye hi to saji sawari thi wo........to dil me kahi ek haseen si tamnna ne bhi angdayi li.


“kya hua sahil?” juhi ne kaha.


“umm..aaaw..wo..wo...kuchh nhi chalo cake kaate.........”



Juhi ko hasi aa gyi sahil ki halat par.......


“hummm..bade aaye ......aankhe phad ke dekh rhe hai .......aur ek lafz tarif ka nhi bol sakte ....koi bat nhi sahil jee, dekh lenge aapko....”juhi ne apne man me socha aur dheere se muskura di.



“jee....” juhi ne bas itna hi kaha aur dono cake ki or badh gaye.


Juhi ne ek pal sahil ke chehre ki or dekha...........



“bahut dukh jhela hai tumne meri jaan ....tumhe itani muhabbat dungi ki tum har dukh bhool jaoge......apne maajhi ki yad bhi nhi aayegi tumhe.........mai tumhe bataungi ki muhabbat buri nhi hoti ...bas insaan achchhe-bure hote hai...”


“Kya soch rhi ho.. kato ne cake.........” sahil ne kaha.



“umm haa...aap bhi sath me ...plss..” juhi ne kaha.



Sahil kuchh nhi bola ......... juhi ne sahil ka hath pakad kar apne hath par rakh diya.....sahil ne dheere se uske hath me pakde huye knife ko uske hath ke sath hi pakad liya aur dono ek sath cake par jhuke hi the ki sahil ke jeb me pada phone ghanghana utha.........


Sahil nhi utha rha tha ......



“sahil dekh le shayad koi important call ho......” juhi ne kaha aur dono alag ho gye.....


Sahil ne phone recieve kiya........kisi naye number se phone tha.........



“hello, jee kaun ???” sahil ne kaha.



“hello sahil, mai dheeraj bol rha hu............” dusri or se aawaz aayi..........


Ufffffffffffffff............DHEERAJ , bada bhai........aaj 4 sal bad chhote bhai ki yad aayi thi.......aur wo bhi tab jab aaj bahut dino bad sahil thoda sa khus hone ki kosis kar rha tha.


Sahil ne apni saanso ko niyantrit kiya aur phone utha liya.............


“hello sahil, kaise ho beta “ papa ne hamesa ki tarah phone uthate hi puchha.


“thik hu papa aap kaise hai, mummy kaisi hai ??? ”


“ham sab bhi thik hain.............wo kuchh bat karni thi.......”



“jee kahiye.........” sahil ne kaha .........papa ki awaz thodi gambheer thi ..



“wo dheeraj ki shadi tay ho gyi hai....jyoti {dheeraj ki fiancée jaha uski shadi pahle tay thi lekin bad me un logo ne mana kar diya} ke papa ka kal phone aaya tha.............khud hi unhone mana kar diya tha bina koi vajah bataye aur ab khud hi fir se shadi ke liye kah rhe hain..............mujhe to bahut gussa aayi par tumhari maa ne haa kar di................” papa ek saans me hi sab kah kar chup ho gye..............mano sahil ka reaction jan na chah rhe ho.


“jee...........” sahil ne bas itna hi kaha..............juhi bhi sahil ke kano se kan lagaye uske gale me bahe dale sari baten sun rhi thi.


Sahil chah rha tha ki jald se jald bat khatm ho.....dheeraj ke bare me bat karna use achchha nhi lag rha tha .


“to beta date kab ki rakhen......?????” papa ne puchha.



“jab aap log thik samjhe “ ssahil ne sankshipt sa jawab diya..


“matlab tumhe kab chhutti mil payegi..........” papa ne fir se puchha.


“papa aap jo bhi kahenge mai kar dunga par mai aa nhi paunga.......” sahil ne juhi ki aankho me dekhte huye kaha.....


“kaisi baten kar rha hai beta....tu nhi aayega to shadi kaise ho sakti hai.............dheeraj ne phon kiya tha bata rha tha ki tune us se bat nhi ki....beta chhoti moti baten hoti rahti hai....bhai hai wo tumhara..........” papa ne kaha.


“sorry papa main hi aa paunga....mujhe chhutti nhi mil payegi ..............” sahil ne fir kaha.


“sahil log kya kahenge .........baut badnami hogi beta.........bade bhai ki shadi me chhota bhai nhi hoga to kaisa lagega.........”



“mai nhi aa sakta papa........mai sara arrangement kar dunga...sare kharch aap mujh par chhod dijiye ....mai sab dekh lunga..........lekin please mujhe aane ke liye force mat kare.........” sahil ko papa ko na bolna achcha nhi lag rha tha...........lekin wo haa bhi nhi kah paa rha tha.


“thik hai beta ........lo apni mummy se bat kar lo..........” papa ki aawaz me ek nirasha thi jo sahil ko chubh rhi thi....



“sahil aaja beta ...........apne budhe maa baap ke liye hi sahi........”mummy ki aawaz thodi bheegi bheegi si lagi sahil ko .....wo kaise rula deta apni maa ko.



“thik h mummy kosiss karunga ...aap log date fix kar le ...mujhe bata dijiyega.....” sahil ne thodi der bat ki aur fir phone rakh diya.



Sahil ne phone rakha aur juhi ki aankho me dekhne laga ...mano kah rha ho ki dekho ,tum to sab janti ho na....kaisi aazamayish ho hi hai mere dil ki..........juhi bhi un aankho ki bhasha samjh gayi.....usne apne dono bahen faila di aur sahil un baho me sama gyaa......sahil ko apne seene me chhupaye juhi pyar se uske balo me hath ferti rahi..........


Sahil ko hamesa hi in bahon ka shara mila tha ...........jab bhi dil udas ho jata ,ye bahen hamesa use apne aagosh me panaah deti .....aur kuchh pal ko sahil har fikar se beniyaaj ho jata.



Sahil ne nazre uthakar juhi ki aankho me dkeha..............



Juhi ne aankho hi aankho me puchha kya hua............



“kya karu mai juhi ....mummy ko rota nhi dekh sakta na.........” sahil ne badi masoomiyat se kaha.



“mai janati hu sahil ..........aapne thik kiya...........” juhi ne uska sar apne god me rakh liya.



“tum chalo gi na mere sath............” sahil ne badi umeed se kaha.



“mai kya karungi wha chalkar sahil ...aur fir mujhe to kisi ne bulaya bhi nhi..........” juhi ne uske balo me hath ferte huye kaha.



“mere liye chalo..............nhi to apno ke bich bahut akela ho jaunga mai.............” sahil ne uski najuk si kalayi ki hari hari chudiyo ko chhedte huye udasi se kaha..



“aapke liye mai kuchh bhi kar sakti hu...jante hai na aap...............chalungi mai aapke sath” juhi har pal sahil ko yhi ahsaas dilate thi ki wo uske sath hai ,uske pas hai....hamesa hamesa ke liye.



“Thank u juhi” sahil ne kaha aur juhi ne pyar se uska matha choom liya.


Lagbhag do din bad fir papa ka phone aaya ...........



“beta, 5 feb ka din rakh rhe hai ............thik hai na............” papa ne sahil se kaha.


“jee” sahil bas itna hi bola.....



“beta ...wo juhi beti ko bol dena.........tumhari ma kah rhi thi ....ya to number de do hum khud hi bol denge .....” papa ne kaha...sahil ne phone loudspeaker par rakha hua tha aur pas me baithi juhi ki or dekh kar muskuraya.......wo bhi khil uthi.


“papa mai bol dunga.....aap koi tension mat lijiye.... mai sab dekh lunga.....”


“jeete raho beta.......tumhari jaisi aulad bhagwan har ma baap ko de.” Papa ke dil se apne bête ke liye dua nikli.



“Lijiye madam aapka bulawa aa hi gya” sahil ne phone rakh kar juhi ki or dekhte huye kaha.



“hum to jate hi ...bulawa na aata to bhi..........”juhi ne bade maan aur apne pan se kaha.


“achcha ji , badi jaldi hai sasural jane ki ....” sahil ne use chhed diya.


“sahillllllll” juhi ekdam se lajaa gayi.


“ dekha mummy tumhe nhi bhooli.........aakhir hone wali bahu ko kaise bhool sakti hai............”sahil ko sharamayi si juhi bahut pyari lagti thi aur ab to wo sharam se ek dam gulabi ho gyi thi...



“sahil...mat kariye na aisi baten pls.............” use achchhi lag rhi thi sahil ki chhed chhad lekin sharm bhi bahut aa rhi thi.




Sahil aur juhi ka pyar dino din badhta ja rha tha ...........juhi ke bina sahil ko ek pal bhi achcha nhi lagta...........jab juhi ghar par ni hoti to wo bhi ghar na aata ..............sahil ghar se bahar ek behad imandar aur sakht IAS Officer tha lekin ghar ke andar ek chhote bachche ki tarah zid karta ,apne nakhre juhi se uthawata aur hamesa use tang karta rahta....



Juhi ki duniya bhi sahil me simat kar rah gyi thi....wo office ke bad sara waqt sahil ko deti .......sahil ke sare najo nakhre wo kisi chhote bachche ke jaise lad se uthati..........sahil ne use itna pyar diya tha ki use kabhi apne maa ya baba ki yad nhi aayi...........juhi jara si bimar ho jati aur sahil sab kuchh chhodkar uske sath lag jata ........jab tak wo thik na ho jati sahil ko kisi chij ki parwah na hoti.........uski har chhoti badi khusi sahil ki zinadgi me bahut ya shayad sabse aham hoti .........



Juhi aur sahil ke liye ab ekdusre ke bina jeena shayad sambhav hi na tha.



Sahil ne khud ko juhi ke liye badal liya tha ...............use khan baba ko diya vada, aur juhi ka wo be-intaha pyar yad tha...........sahil badal gya ,halat badal gaye bas ek bat nhi badali.............aaj bhi sahil ko wo “bewafa “ yad aati thi ................jab bhi yad aati ,to sab kuchh yad aa jata.........wo kisi kone me ek aansu gira leta aur chuchap aage badh jata..........sahil ka in yadon par koi jor nhi tha..........sahil chah kar bhi un yadon ko nhi rok pata tha............iske liye kabhi kabhi wo khud se khafa bhi ho jata ........use apna-aap doshi lagta ...lekin wo majboor tha shayad ..........aarti ki yaden aa hi jati..........aur ab un yadon ke siwa us rishte ka uske pas bacha hi kya tha.


*************************************************************************************



Sahil aur juhi 30 january ko gaon ke liye nikal liye..............sahil ne hi wha ka sara intzaam kiya tha.........uska man nhi tha jane ko ......dheeraj ke wo sabd yad the use ........lekin apne mummy papa k liye use jana pada.



Sahil ghar pahuch chuka tha .......juhi sabse milkar bahut khus huyi ........RENU se to vaise bhi uski achchai banti thi .....mummy papa bhi uske aane se kafi khus the ...........bas usne dheerej se koi bat nahi ki ..........na sahil hi dheeraj se koi bat kar rha tha ......juhi chup thi sirf sahil ki wajah se ...............jab bhi sahil ki didi ya dheeraj ka jikar aata tha juhi ki aankho me shole utar aate...........use wo rota bilkahta,akela sahil yad aa jata tha..........kitna akela kar diya tha use uske apno ne .....lekin wo chup thi –sirf apne sahil ke liye.




sahil ke ghar par is samay kafi bheed thi .......uske dono uncle uski dono bua aur un logo ki family –sare log aaye the ....ye sab sahil ke papa ke bhai bahen the..............wo bhai behan jinhone unhe gareebi ke samay bilkul akela achhod diya tha ............aaj sab log aaye the ............qki ab unka beta IAS tha ........ab wo garib nhi the..........kafi bheed ho gyi thi lekin shail ne sara arrangement pahle se hi kar diya tha...........isliye koi paresani nhi thi .



papa jitni bar bhi sahil ko dekhte seena garv se phool jata ...........lekin ek kasak thi unke man me ...sahil aur dheeraj ka aapas me na bolna............



aaj shadi k ek din pahle didi ke yaha se did aur rohan aaye ......na jeeja aaye thi aur na hi “ AARTI “ ....sahil didi se kuchh kuchh bat kar leta lekin juhi nhi karti thi.........use sab sahil ki kasoorwar nazar aate .


sahil aur dheeraj ka aapas me na bolna mahsoos to sabko ho rha tha aur fir badi bua ne ye mudda utha hi diya............



Bua dheeraj ke sath baithi thi....sahil whi samne se gujara..........



“are sahil jara ek pal ko mere pas to baith ...........tu to dikhta hi nahi” badi bua ne kaha aur jane kaha se tahalte huye choti bua bhi wha aa gyi.....


sahil na chahte huye bhi jakar unse thodi doori par rakhi chair par baith gya.......dheeraj ne ek bar sahil ki or dekha fir nazre jhuka li.............



“aur sahil kaisa chal rha hai sab ........bada afsar ban gya re tu to.......ittu sa tha jab mai yha se gyi to.......”




“jee bua ban to gya..........mere apno ka aashirwad jo tha....”sahil ne kaha aur dheeraj ki or dekha ......sharam se sar nhi utha rha tha wo.


Bua apne aadat ke mutabik hi bhoomika bana rhi thi .......aur dhhere dheere baton hi baton me sahil ke dono chacha ,chachi unke bachche aur kuchh aur bhi relatives wahi baramde me ekatthe ho gaye..........


Aur ab bua ne jab dekha ki achchhi khasi bheed ho gyi hai to apna Ram-ban chhoda.........



“tum dono aapas me bat kyu nhi karte..........jab se aayi hu dekh rhi hu.........” badi bua ne sahil ki or dekhte huye kaha.



“bua mujhe bahut kam hai aap log baithiye “ sahil ne uthana chaha.



“are lallaa jara baith to sahi.... kaam to hote hi rahenge.........” chhoti bua bhi maidan me aa gyi.



”are babu,IAS ho gye ho wo thik hai...par bhai to bhai rahega na..........”ye bade chacha the...jinhone shayad aaj pahli bar sahil ka jikar apni juban se kiya tha.........aaj tak sahil kaun hai wo jante bhi nhi rahe honge......... Sahil ko unki bat chubh gayi...........lekin wo kuchh nhi bola....kal shadi thi aur aaj wo koi tamasha nhi karna chah rha tha.....



sahil ki khamoshi uski kamjori ban rhi thi aur dheere dheere logo ke muh khul rahe the.............



“are bada bhai hai...............kuchhh bol bhi diya to bhool jao.....bhale ketne bade afsar ban jao ...rahoge to us se chhote hi.............” chhoti chahchi kyu pichhe rahti...unhone bhi aag me ghee dal diya.



Sahil sabke bich me baitha kathgahre me khade gunahgar ki tarah sar jhukaye sab sun raha tha .....usakaa mukadama lada ja rha tha lekin uske paksh me koi nhi tha....




“aree bhaiya jab paise aa jate hai to kaun apan aur kaun paraya.........kaun bhai aur kaun bhaujai.............sab paise ka rang hai aur kuchh nhi” ye kaun bola sahil pahchan nhi paya........lekin us se baradast nhi hua.



“dekhiye ................ye hamare ghar ka mamala hai.............pls aap log isme dakhal na den..........” sahil ne thode sakht hone ki koisis ki........... ....lekin uske andar ki sakhti gayagb ho gyi thi .........use fir se sabkuchh yad aa rha tha....dheeraj ki har bat, apni har asafalata..........aarti ko use thukaranaa........sahil ek bar fir se usi daur me pahuch gya tha....whi kamjor sa sahil..........udas sa sahil....majboor sa akela sahil........apni sakhti aur kabiliyat ke jhande gadne wala sahil aaj ek bar fir apno ke hatho haar rha tha.



“haye ...haye...ham sab bahar wale hai.....to ham aaye hi kyu hain ....jaroorat hi nhi hamari............” badi chachi ko ek bat mil gayi ...


“Sahi kah rhi hai bhabhi....hamari kya aaukat ...bade logo ke bich....ham to gair hai.” Chhoti bua ne to bakayda rona bhi suru kar diya....



Sab kuchh na kuchh kah rhe the .......achcha khasa hungama ho gya......sahil ke papa market gaye the aur mummy ghar par nhi thi ..... jaise hi papa ghar me ghuse sab un ki or lapke...sahil chupchap whi baitha rha...............



“bhai sahib ham gair hai to kyu bulaya ...are bas yahi to samjha rhe the ki bade bhai se kyu bat nhi karte ...aur hame gair kah diya...haa hm to gair hi hai........” dono chachi aur bua ...sab milkar ek sath bol rhi thi ....yhi unka charitra tha hamesa se hi .



“sahil ye kya kah rhi hai beta..........”papa ne dheere se puchha



Sahil chuchap chair par baitha jameen ko ghur rha tha...............uske aankhe bhar aayi thi lekin kisi ko nazar nhi aa rha tha....



“aaye haye.....itani akada????? baap ki bat ka zawab nhi diya........bhai se nhi bolata......IAS hi bana hai na.................are baap bhai ki ijjat to bhagwan bhi karte hai...hunnnhh” badi bua sabse aage the..........



Sahil ke papa ko apne bête ke bare me aisi baten sun kar dukh ho rha tha ....lekin kal shadi thi ...unhe pata thi ki ye sab kitna bakheda karenge agar unhone kuchh nhi kaha to..


“sahil sorry bol do beta.........sab apne hi hai ........koi gair nhi hai” papa ne sahil ke kandhe par hath rakhte huye kaha.....kitni badi galti kar di thi aaj papa ne.



Sahil chup rha ................sar tak ni uthaya usne .....




“batao...jo apne baap, bhai ki ijjat nhi karta , wo hamari kya karega.....are IAS bhi insan hote hai, koi bhagwan nhi ..” sab tarah tarah ki baten bol rhe the ..........RENU aur DIDI bhi wha pahuchi...lekin unhe samjh me nhi aaya ki kya ho rha hai...........




“jab bade bhai se bolna hi nhi tha uski shadi me aane ki kya jaroorat thi .........sab akada hai aur kuchh nhi .....jab tak kuchh nhi the,tab tak bhai-baap ki jaroorat thi .........ab kya jaroorat......ab apno ki kya jaroorat” badi chachi ne kaha.



Aur fir wha wo pahuchi jisne sahil ko us bhyankar tufan se nikal liya tha , ye to halat ke mamooli thapede the, ye uska kya bigad lete ...........jee ha ....juhi wha aa gyi thi........... -SAHIL KI JUHI- aur chachi ki bat sun bhi li thi usne .



Juhi ne kisi ki bat par koi dhyan nhi diya .....teji se sabko hatate huye sahil ke karib pahuchi auer uske kandhe par hath rakha ........ “ sahil” usne bade pyar se use pukara.



”juhi !! tum aa gyi juhi.....dekho maine kaha tha na ki apno ke bich mai akela pad jaunga.......” sahil ki aankhe aansuo se bhari huyi thi....... Juhi ka dil tadap kar rah gya ...sahil ke aansu khanjar bankar chubhe use .......kitni muskil se sameta tha usne apne sahil ko aur aaj ek bar fir se uske apne apno uske jakhm kured diye the.



“nhi sahil , aap akele kaise ho.....mai hu na......” sahil ne jor se juhi ko pakad liya ...sab log dekhte rahe lekin aaj juhi ko kisi ki parwah nhi thi.



“lo bhai ye to hai hi , ab hamari kya jaroorat .............” chhoti bua boli ...ek tanj tha unki aawaz me..........



“vaise kaun hain ye.........????????” badi bua ne badi gahri aur taane wali ada se kaha.


Juhi ne sabki bat unsuni kar di ....sahil ke aansu poche .....use chair se uthakar apne sath lagaye le gayi .... pas wale room me sofe par sulaya........darwaza band kiya aur wapas aa gyi, sahil jis chair par baitha tha us par jaka baith gayi.



“pucchiye mujhse jo puchhna hai aap sabko ..........” juhi ke aankhe aangaro se dahak rahi thi.




Kisi ki himmat nhi padi kuchh kahne ki .................juhi ke chahre se, ankho se , uske haw-bhaw se ek gussa,ek nafarat jhalak rha tha .......sab ko mano saanp sungh gya.........



“puchhiye ?????? kya puchh rhe thi aap sab mere sahil se ??? ” aaj juhi ko kisi ki parwah nhi thi , parwah thi to bas apnimuhabbat ki , jiske liye wo kisis bhi had tak ja sakti thi .........shant-shant si , hasamukh , khili-khili si rahne wali juhi aaj kisi sherni ki tarah dahad rhi thi .............dahadti bhi kyu na ...aaj uski muhbbat par aanch jo aa gayi thi................



“aap sab kya puchhenge......kya puchhenge aap sab ............kisi ki aaukat nhi hai mere sahil se koi sawal karne ki ........... “apne” ??????? kaun se apne ? sahil ke apne ????? sahil ne chhod diya .........??????? “ juhi aaj nhi rukne wali thi.


“aap sab sahil se sawal puchhte hai ki wo apno se bat kyu nhi karta ..........use apno ki kadar kyu nhi hai...........hunnnhhhh ...........aur aap sab hote kaun hain ye sawal puchhne wale .........aur agar kuch haq samjhte hai apna sahil par ,agar sachmuch sahil kuchh lagta hai aapka........to puchhiye uske apno se --- kaha the wo apne jab sahil ek ke bad ek har jhel rha tha aur uske pas koi apna nhi tha ..........sahil ke sapne ek ek karke toot rhe the aur uske pas uska bhai nhi tha ......wo bikhar rha tha aur uske pas uski badi behan nhi thi............sar rakhkar rone ke liye bhai ka kandha nhi tha...... aansu poonchhne ke liye bahan ka aanchal nhi tha...............” juhi bol rahi thi aur sab chuchap sun rahe the.




“jante hai aap sab sahil ke pas kya tha ......diili ki ghuti huyi galiyo me ek chhote se kamre ka kala andhera tha ........... us kamre ki seelan aur badboo bhari deeware thi ........sahil un deewaro se lipat kar roya –tab kaha the ye apne , jab sahil un tang galiyo me bhatakta raha –tab kaha the ye apne .......tab kyu nhi aaya koi ye kahne ki sahil tu mera apna hai, tera mera rishta teri safalta asafalta se nhi juda hai ....tu jaisa hai achchha bura –mera hai..... aaj itne log hai hai jo sahil ke apne hai ..............tab kaha the aap log ..............kyu nhi kabhi puchha ki jee rha hai ya mar gya sahil ........kaha the aap sab ....kaha tha ye bhai ...???...kaha thi ye badi behan ?????.........puchhiye aap sab apne aap se , puchhiye in sab se .......puchhiye .....please ek bar puchhiye ...mere sahil se mat puchhiye .........kuchh mat puchhiye ...khuda ka wasta aap sab ko .” juhi kahte kahyte buri tarah se bilkah kar rone lagi




Sabki aankhe aansuo se bhari thi ....didi baithkar ro rhi thi ....aaj juhi ne sabko aayina dikha diya tha ...........mujrim ki kursi par baithkar sabko mujrim bana gyi thi aaj wo PARI--- SAHIL KI PARI.
 
expectations
22,567
14,739
143
sab ki bolti band kar diya juhi ne waise is story me agar koi mere dil ke sabse kareeb hai to juhi hi hai wo
 
Newbie
25
25
3
UPDATE 18

Juhi ki bat se bahut se logo ki aankho me aansu the lekin abhi bhi kuchh aise the jinki aankho me aansu nhi ek nafarat thi ..............juhi ke liye.................itane sab ke bich uska aa kar sahil ko yu le jana aur fir sabko is tarah se dhikkarana –kuchh logo ko pasand nhi aaya..................



“wo sab jo hua wo hamare ghar ka mamala hai .......tum kaun hoti ho isme dakhal dene wali.” Bade chacha ke andar ka insaan shayad bahut pahle hi mar chuka tha.

Juhi ke kan me unki aavaz padi aur uske aansu ruk gaye............



“tum kaun hoti ho “ is bat ka kya jawab de.........wahi juhi jiski dahaad ne thodi der pahle sabki dilo ki mari huyi aatma ko jaga diya tha ,ab kuchh nhi bol rhi thi ............use samajh me nhi aa rha tha ki kya jawab de..........




“haa ...haan..........bikul sahi bat hai ...aur tum to hamari jat biradari ki bhi nhi ho .....tumhe kisne diya itana haq ki hamare ghar ke maamlo me bolo...” chhote chacha ki himmat bhi fir se badhane lagi thi, jaat-paat ,unch-neech –, yahi kiya tha in logo ne poori zindagi.



Juhi kya jawab deti????? Uski aankhe khali khali si kisi ko dhoondh rahi thi ..........kaise batati ki wo kya hai sahil ki....sahil uska kya hai....in zahilo ke bich kaun samjhata un pak rishto ko ..............




“abhi to bahut lecture de rahi thi.............ab kya saanp soongh gya ..........are wo sab bhai behan hai jo chahe ho unme aapas me .....tum kaun hoti ho ..........” dono chacha bari bari se juhi ko ghure jaa rhe the aur ek ke bad ek ilzaam lgayae ja rhe the .



“are mai to kahata hu isi ne koi patti padha di hai sahil ko ............nhi to itana bhala bachcha kya aise bat karta .........sab isi ka kiya dhara hai.........” badi chchachi bhi bina kuchh kahe kaise rah leti.




Juhi sabkuchh chuchap sah rahi thi.........kya kahti wo .......bas dil k ek kone me ek tees si uth rahi thi “sahil,aaj meri muhabbat bemol ho jayegi............meri muhabbat ko bacha
lo......plsssss “ juhi ki aankh se ek aansu nikal kar jameen par gira.............aur jab kisi pari ki aankh se aansu nikal jaye to qayamat to honi hi thi.




Bade chacha aage badhe...........juhi ki najuk baah pakad li..............aur jhatke se use khada kar diya..........



“bhai sahib chhodiye use......... nhi to mujhse bura koi nhi hoga.” Sahil ke papa jo ab tak sab sah rahe the ab bardasht nahi kar paye........unke jabde bheech gaye.



“tu chup rah..........bahar ki ek musalman ladki aakar poora ghar fod rahi hai.....teri akal par to patthar pada hai............ab mai dekhta hu kya karti hai ye..........sab isi ka kiya dhara hai jo aaj do bhaiyo me darar pad gayi.........” bade chacha ne badi berahmi se juhi ki baah pakad rakhi thi ..........aur juhi ki aankho se ek aansuo ki dhar nikal kar uske laal ho chuke galo ko bhigoye ja rhi thi..........sahil ke papa aage badhe to unhe bade chacha ke bête ne pakad liya.




Bat ab family ki na rah kar us gande samaj ki kayade kanoon ki ho gayi thi jahaa aaj bhi dusre religion walo ko achhut samjha jata tha................aur ab is baat ko us gande samaaj ke thekedar apni banaye kale kanoon ke hisab se suljhana chchate the.




“bol kya rishta hai tera sahil se .......kya lagti hai tu sahil ki ............” bade chacha ne juhi ki kalai buri tarah se marod di .




“zindagi hai ye meri............” sahil ka tej ghoonsa bade chacha ki nak tod gaya tha..........kab wo hawa ke jhonke ki tarah aaya aur kab uska hath utha kisi ko khabar na huyi........... Uske nathoone fool rahe the...................aankho me aangare dahak rahe the..........mathe ki nase khinch gayi thi....jo sahil thodi der pahle ek toote huye insaan ki tarah bilakh raha tha ,ab ek chattan ki tarah apni pari ki hifazat me aa gya tha..........




“maaf kar dena juhi ........” usne juhi ka matha choom liya.



“oh to ye rishta hai........” bade chacha apni nak tudawa kar bhi kaha man ne wale the...ek khataranak muskan hotho par liye bole.



Sahil ne juhi ko Renu ke hawale kiya aur ek bar fir se unka girebaan pakad liya................



Ek Jordar ghusa unke pet me pada aur unki haddiya tak charmara gayi.............sab sahme se sahil ka ye naya roop dekh rahe the..................wo sahil jisne apne kisi bade se aaj tak juban tak nahi ladayi thi, aaj apne baap ki umar ke shakhs ko buri tarah se peet raha tha............ Sab log chuchap khade dekh rahe the ......sahil ko rok pana ab kisi ke bas me nhi tha.....bade chacha ka bête aur chhote chacha unko chudane ki kosis me apni haddiya tudawa chuke the ............



“sahil ruk jao............” is bar sahil ko utha hua hath ruk gaya,uske papa samne aa gaye the.......



“hat jaiye papa , mujhe jo bhi kaha gaya maine sab bardasht kar liya........lekin meri juhi ko hath laga diya is kutte ne............meri zindagi hai juhi......jaan hai meri...........usko hath laga diya is kamine ne ........”sahil ne papa ko bich se hatana chaha.........lekin wo nahi hate........



sahil ke shabd juhi ke dil me utar gaye.....bhare samaj me usne juhi ke sar par ijjat aur maan ki chadar daal di thi.




“hat jaiye aaj mere samne se papa.....kahi aaj mai ye bhool na jau ki aapka mera koi rishta hai.............meri juhi ko hath lagaya hai is kutte ne .............iske hath todkar juhi ke kadmo me rakh dunga...............”sahil sachcmuch apne aap me nahi tha............uski aankho ki aag mano sabko jalakar bhashm kar dena chahati thi .........kisi ki himmat nahi ho rahi thi sahil ko rokne ki.



Sahil ne khichakar papa ko ek taraf kar diya ............aur ek bar fir se uspar toot pada...........



Niche gire bade chacha par ghuso ki barsat kar rha tha.



“sahil “ kisi ne jhakjhor kar sahil ko upar ki or khicha........sahil ne ek pal ko nazre uthayi .........mummy ka zordar thappad uske galo ko jhanjhana gaya.............


Zindagi me pahli bar uski maa ne sahil ke galo par thappad mara tha..........



Sahil ki aankho me aansu aa gaye...........


Wo bade chacha ko chhodkar utha gya......



“maaro na mummy....maaro mujhe...........aur maro.............jaan se maar do............” sahil ek tak apni maa ki aankho me dekh raha tha.........mummy ki aankhe bhi bhar aayi.




“ye sab kya ho raha hai sahil.............” mummy ne dabadabyi aankho se puchha ..........aaj zindagi me pahli bar apne ladle par hath uthaya tha.




“aapke bête ka ek aur tamasha ho raha hai mummy........... aapke badnaseeb bête ki zindagi me ek aur aazamayish ho rahi hai.............ek bat puchhunga aapse...............mai sach me aapka beta hu na ? “ kya kah diya tha sahil ne aaj .


“Sahil aisa mat kah mere laal...........” mummy ka dil tadap utha....




“mummy ,sab puchhte hai mai bade bhai se bat kyu nhi karta,.....aapne bhi puchha us din ...........papa ne bhi puchha ..........us bade bhai se kabhi kyu nahi puchha mummy...............” sahil ki sawal me bahut dard tha.




“ye kamina kahta hai ki juhi kaun hai meri...........kya jawab du mai ...............kya naam du use jisne mujhe ek nayi zindagi di...........kya nam du use jiski baho ke sahare ne mujhe maut ke muh se wapas khich liya ............kya nam du us pari ko jisne mere toot te huye sapno me naye rang bhar diye..............mummy aaj aapke pas aapk sahil hai,kyuki uske pas juhi nam ki ye pari thi.........nahi to kab ka ja chuka hota is duniya se aapka sahil ”




“sahil” mummy cheekh uthi........... Sahil ko koi fark nahi pada.



“Juhi meri zindagi hai ............uski ibaadat karta hu mai ...........aur juhi ke liye mai kisi bhi had tak jaa sakta hu..........apni jaan de bhi sakta hu aur kisi ki jaan le bhi sakta hu.............sari duniya chhod dunga uske liye...........agar koi rishta mere aur meri juhi ke bich aaya , to us rishte ki kurbani dene me mujhe ek pal nahi lagega............aur agr kisi ke hath meri juhi ki or uthe ,to un hatho ko katkar uske kadmo me dal dunga.......chahe wo hath kisi ke bhi ho................apni mummy ke doodh ki kasam hai mujhe” Sahil ne aakhiri bat sab logo ko ghurte huye kahi ................uski aankhe kahar barsaa rahi thi aur ek behad khunkar chetawani thi un laal laal aankho me .




Sahil ke is roop se sab log sann the ...........ek ek karke sab bahar chale gaye.........bade chacha ki aankhe me koi pachhtawa to nhi tha ............ha ek sharmindagi thi .............us sahil ke hatho beijjat hone ki jo sabki ijjat karta tha .................



Ghar ke andar ab bas sahil aur uski family rah gay the..................



Sahil ne juhi ko apne gale se lagaya .............juhi abhi bhi ro rahi thi .............lekin ab sahil ke andar koi jhijhak ,koi sharam nahi thi...............juhi ko khud se lagaye wo chuchap kamre me chala gya.............idhar bahar renu ne mummy ko sari bat suru se lekar ant tak sab kuchh bata diya.



Mummy ki aankho me aansu aa gye.................dheerja bhi kafi gum sum sa tha...use bhi shayad ahsaas ho rha tha lekin bahut jyada der ho chuki thi.



Lekin sabse jyada udasi jis chehre par thi wo thi badi didi...................



Juhi ka har wo shabd “ kaha thi badi bahan us waqt” didi ki dil ko chhalani kar gaya tha......wo to itani majboor thi ki ek sabd apni safai me na bol payi.....didi uthakar apne kamre me chali gayi aur darwaza band kar ke foot foot kar rone lagi...............kathghare me khade kisi gunge mujrim jaisi halat ho gayi thi unki.............bas ro hi paa rahi thi wo. “ye kaisa imtehaan hai mere rab...jisme har taraf meri haar hi haar hai “...... bas itna hi kah payi wo apne rab se , baki sari shikayat aansuo ke roop me tootkar bah nikali.



Papa bahar nikale .......unka man bhi bahot udas ho gya tha......aisa kya hua tha sahil ke sath dilli me ??? ye sawal unka man kachot raha tha.....aaj unhe samajh me aa rha tha ki sahil dhheraj se bat kyu nahi karta tha aur wo yha aane ke liye taiyar kyu nahi ho raha tha..........juhi aur sahil dono ki baten unke dil me ghoom rahi thi............lekin ghar se bahar nikalte hi unhe bahut aascharya hua..............keval bade chacha aur unke bête ko chhodkar sab log bahar hi baithe the............dono bua daudi huyi aayi aur unke pairo se lipat gayi...............




“ hame maaf kar dijiye bhaiya........hamne jane kya kya kah diya...............” sahil ke papa ne khud ko chhudaya aur age badh gaye...........aaj unke inhi apno ki vajah se unka beta unke khilaf bol gya tha.......unhe nafarat ho rahi thi apne in apno se.



Idhar sahil juhi ko kamre me lejkar bade pyar se bed par take lgakar bitha deta hai........aur khud uske samne baithkar uske dono hath apne hatho me le leta hai.............



“plss ab mat rowo sona” sahil ne badi muhabbat se juhi ke aansuo ke saf karte huye kaha jo abhi bhi hichkiyo le lekar sisak rahi thi.



“I m sorry juhi......sab meri vajah se hua............sorry ....maf kar do na yar......”



Juhi ne sahil ke hath apne hatho me jor se daba liya....................



“nahi sahil aap ki vajah se kuchh nhi hua.............aapne kya kiya.............” juhi bas itna hi boli................uske dil me ek sukoon tha..........bhare samaaj me sabke khilaf jakar sahil ne apni zindagi kaha tha use...........usko apnaya tha sahil ne.




“juhi ham yha nahi rukenge............chale jayeenge hum yha se...........” sahil ne juhi ke mathe ko choom liya aur use apni baho me bhar liya.




“thank u sahil....aapne mera maan rakh liya....nahi to aaj mai toot jati...thank u so much sahil ...” juhi kisi bachche ke tarah sahil ke gale se lag gayi.




“kaisi bat karti ho jaan........tumhare liye to mai sari duniya se takaraa jaunga..........sara jahaan chhod dunga tumhare liye........juhi tumhe mujhse koi juda nahi kar sakta .............koi bhi nahi” sahil ne kaskar juhi ko khud me samet liya.




Sham ke 4 baj gaye the aur sahil ki mummy sab logo ko ghar me wapas le aayi thi ....badi bua,chhoti bua,chachi..............sab the lekin ab tewar pahle wale nahi the ............sab badle badle se the aur chehre par ek sharmindagi thi ...............bas bade chacha nahi aaye the.




Sab kcuhh normal sa ho gya tha...........shadi ki sari rashme ho rahi thi lekin juhi aur sahil nahi aaye the bahar.........kaun kya sochata hai ab unhe is bat se koi fark bhi nahi padna tha.........




Sahil aur juhi ekdusre ke baho me jane kab so gaye the aur unki neend khuli jab darwaze par kisi ne khat khat ki aawaz ki.



Juhi ki jaise hi aankh khuli use apni sthiti ka andaza hua......rat ke 8 baj chuke the....shadi wala ghar aur itani der se wo dono akele ek room me ...........ufffff !! log kya soch rahe honge........aakhir thi to wo ek ladki hi na.




Usne jaldi se sahil ko uthaya aur darwaza khola...........mummy thi saamne .......unke chehre par ek muskaan thi .......jaise kuchh hua hi na ho.......mano unhone kuchh faisla kar liya ho.




“disturb to nhi kiya na beta..............” unhone ne muskuar kar bade pyar se puchha .


“nahi aunty...aaiye na.........” juhi ko behad Sharma aa rahi thi ............


Mummy andar aayi aur sahil ke pas baith gayi...............


“I m sorry beta........” unhone sahil ke kandhe par hath rakhte huye kaha...


“aisa mat kahe mummy ...........plss......lekin mai yha ruk nahi sakta “ sahil ne dheere se kaha.



“nahi beta ............dekh renu ne mujhe sab bataya...........jo hua use bhool ja.....mai ye to nahi kahungi ki dheeraj ko maf kar de.....lekin bhai to hai na wo tera...bas isi khatir kal ruk ja fir chale jana............” mummy ki baton me ek iltiza thi....lekin sahil ki aankho me juhi ke sath hua hadasaa ghoom raha tha..............




“please mummy ..........i m sorry “ sahil ne kaha aur uthkar bahar aa gya ....pichhe pichhe mummy bhi aa gayi.........



“rook ja sahil ........tujhe aarti ki kasam “ mummy ke muh se achanak nikal gaya.




Uffffffff!!!!!!!!!kya kah diya tha mummy ne...............jab sahil chhota tha to aksar us se koi bat manwane ke liye renu aur dheeraj use aarti ki kasam de dete the .......aur sahil kabhi bhi aarti ki kasam nahi todata tha .................ye sab ko pata tha.......kabhi kabhi didi bhi bol deti ..............lekin aaj itane salo ke bad use mummy ne aarti ki kasam de di thi............. Sahil ka dil ro raha tha........usne mummy ki or se muh fer liya aur apni aankhe ragad dali...........aansu rook nahi rahe the.....us se bardasht nahi hua aur wo teji se aage badh gaya.......bas itana bolta gaya............




“thik hai ,aap juhi se puchh lijiye”




Mummy ne anjaane me aaj us jakhm ko hawa de di thi jo kabhi nahi bharne wala tha.........sahil lakh aarti ko bewfa kahta,lakh wo use bhoolne ki kosis karta ,lekin wo to uski nas-nas me basi thi, masoom bachpan ki wo msoom yaden uske rom rom me rachi thi........kaisi nikalti bhala wo bahar...........iska ahsaas khud sahil ko bhi nahi tha.



Mummy juhi ke pas pahuchi ............


“juhi” bade pyar se uske sar par hath pherte huye unhone kaha.


“jee” juhi ne sar jhukaye bas dheere se itna hi kaha.



“beta mujhe nahi pata sahil ke sath kya hua............dheeraj ne aur uski didi ne uska sath kyu nahi diya........aur abhi shayad sahi waqt bhi nahi hai ye puchhne ka............lekin tumne jo mere sahil ke liye kiya hai wo mujhe sahil ki aankho me nazar aata hai...............agar sahil ko kuchh ho jata to mai bhi jee na pati..” mummy bade pyar se juhi se bat kar rhi thi.



Juhi bas chuchap sun rahi thi...........



“lekin beta dheeraj ka to mai maan bhi lu, par uski didi.........dil nahi manta .........wo sahil ko mujhse jyada pyar karti thi ........sahil uska dulara tha.........aur .aarti me to sahil ki jaan basti thi..........aur aarti bhi use itna manti thi.................mujhe nahi pata ki kya hua ..........aur abhi mai janna bhi nahi chahati..............ek bar ye shadi ho jaye fir sab kuchh puchhungi............lekin tab tak ke liye tumse ek vinti hai........”sahil ki mummy ne juhi ke age hath jod diye.




“aisa na kahe aunty ...maine aapko maa ki tarah samjha hai....bole kya hukm hai.........” juhi ne unke hath tham liye.



“beta jo kuchh tumhare sath hua uske liye maaf kar do....aisa ab kuchh nahi hoga......., bas is shadi tak yha ruk jao.....sahil ko bhi mana lo.......agar sahil chala gaya to uske papa bilkul toot jayenge..........plsss...ek maa ki prarthana hai tumse............”mummy ki aankhe bhar aayi.




“hum nahi jayenge aunty ...aap koi tension mat lijiye............us bat ka jikar bhi nahi hoga ab shadi tak yha ....sab kuchh achche se hoga....mujh par bharosa rakhiye...” juhi bade atmaad se bol rahi thi.




“jug jug jiyo meri bachchi.......khus raho....”



“ juhi ek bat puchhu........” mummy ne uske mathe ko choom liya aur fir halki si muskan ke sath puchha.



“jee ,puchhiye na” juhi ke to khwabo me bhi nahi tha ki mummy kya puchhengi.



“mai tere abbu se bat karu kya..........” mummy ne kaha.



“ jee kaun si bat” juhi samjh nahi payi .........itti bholi thi ya fir shayad use is samay ummeed nahi thi........



“teri aur sahil ki bat ........bol na ...............banegi mere sahil ki dulhan................hummm..” mummy ne pyar se uske chin ko pakad kar uske gulabi ho chuke mukhade ko upar uthaya.




Juhi to sharam ke mare laal ho gayi....kuchh nahi boli...bas muskurati rahi sar jhuka kar ......




“bol na beta...mujhe duniya samaj , kisi ki parwah nahi hai....tu to mujhe pahli nazar me hi bha gayi thi...tabhi maine socha tha ki apne sahil ki dulhan tujhe hi banaungi...........pasand hai na sahil tujhe....pyar karti hai na use se?” mummy juhi ki khamsohi se hi samjh chuki thi uske man ka haal ....aur is bar juhi ne dheere se ha me sar hilaya aur unke gale lag gayi.




“meri bachchi......bas ye shadi ho jane de.........fir teri doli bhi yahi aayegi.......” mummy ne uski peshani choom li aur use gale se laga liya.




Renu jo sabkuchh sun chuki thi andar aa gayi.................



“mummy aapne to meri dusri bhabhi bhi pasand kar li............ummm...........maine to pahle hi kaha tha..........” aur ab renu juhi ke sar par sawar thi..........dono ke bich nanad-bhabhi wali nok jhok suru ho gayi thi aur mummy haste huye bahar nikal gayi.




Renu ,mummy aur papa , sabke man me ye sawal tha ki sahil ke sath kya hua tha aur kyu hua tha ....lekin kal shadi thi aur aaj wo is bat ko uthana nahi chahte the ....isliye sabne jitna ho sakta tha sab kuchh normal karne ki kosis ki thi ...aur sabkuchh normal ho bhi gaya tha.......bas do log udas the ..........ek sahil,aur dusri didi.....lekin dono hi apni udasi ekudsre se chhupa rahe the.




Sahil ko mummy ki bat bar bar yad aa rhi thi........kaise bachapan me sab log aarti ki kasme dekar use majboor kar dete the aur wo khusi khusi majboor ho jata ......kabhi uske man me ye nahi aata ki aarti ki kasam dekar sab uska fayada uthate ....usne aarti ke liye haar janaa sikha tha.......aarti ke nam ke liye bhi haar jata tha.......jab bhi kabhi wo mana karta to sab yahi kahte-- “kya tu aarti ko bas itna hi manta hai,uske liye itna sa kam nahi kar sakta “ aur sahil kaise man leta ki wo aarti ko “itna sa “ hi “ manta “ hai......wo har bat maan leta .................sirf is bat ke liye ki mai aarti ko kitna mantaa hu wo sabkuchh haar jane ko taiyar ho jata...........lekin aaj to wo us apni jaan se pyari AARTI ko hi haar chukka tha ....fir kyu log uske naam ki duhaayi dete the......... Sahil kis se karta ye sawal ?????.............aur jiske pas iska jawab hota wo to khud uske paas nahi thi.





Sahil bahar kuchh kuchh kam hota dekh raha tha aur kam karne walo ko instruction de raha tha ...........ghar ke samne bade se lawn me sabke khane peene ki vyawastha thi...........gaon me shadi k ek din pahle sare gaon walo ko khana khilaya jata hai ...wahi ho raha tha.




Sahil ke aankhe bar bar nam ho rahi thi ...use aaj shiddat se AARTTI yad aa rhi thi .......... wo lakh kosis kar rha tha ki use yad na kare lekin yadon par kiska jor tha.




Khud ko kamo me uljhaye huye wo apni aankhe bar bar ragad deta ....

”ek bar aa jao ,ek bar dekh lu tumhe” aaj fir se sahil ke hotho se ye sabd nikal gaye...... Us se control nahi hua aur wo chuchap ek kamre me ghus gaya aur aankhe band karke bistar par let gaya............




Sahil aankhe band karta to wahi bachapan ki nanhi si hasti khilkhilati, uske kandhe par chadhi aarti nazar aa jati.......aaj use aarti ki itani yad aa rhi thi ki aarti ki wafaa-bewafai ...sabkuchh bahut door thi.......aaj yad thi to bas aarti...sirf aur sirf aarti..................aaj sahil ka dil is kadar uske dimag par hawi ho gya tha ki use ye bhi yad nahi tha ki juhi bhi koi hai............kitna galat tha kitna sahi,ye kahana to bahut muskil hai lekin is samay sirf dil tha ,dimag kahi nahi tha aas pas.




“ek bar apni aawaz hi suna do “ uske dil se aawaz nikali thi.........sahil aaj fir se haar raha tha.......uske man ka dwand aaj ek bhayanak shakl le raha tha....use nahi pata tha ki ye kyu hai....kyu ek “ BEWAFA “ ke liye wo tadap raha hai.........lekin wo tadap rahaa tha ...bahut buri tarah se.




Wo aise hi bistar par pada tha ...shadi ka ghar hone ke vajah se sab saman idhar udhar bikhara tha ...kuchh hi minute beete the ki usi bistar me lipta kisi ka phone ghanghana utha....do bar ring aa aakar cut gayi ...........sahil ignore kar rha tha .......lekin is bar sahil ne phone dhunda ................bed sheet me lipta hua wo phone didi ka tha.............aur screen par nazar padi to sahil ki aankho me bhare aansu palko ke darwaze tod kar bahar nikalne lage...........screen par jagmaga raha tha ---------- AARTI CALLING.




Sahil ke dil ki aawaz aaj fir aarti ke dil ne sun li thi..................Sahil ne kaapte hatho se phone uthaya aur call reciceve kar li................



“hello” .............uffffffffff ...kitni dino bad aaj aarti ki aawaz uske kano me padi thi............lekin us aawaz me ab wo pahle wali khanak nahi thi............sahil phone kano se lagaye the aur aansu aankho se bah rahe the ..........kuchh bol nahi paa raha tha wo...........bas us aawaz ki thandak apne dil me mahsoos kar rha tha.



“hello...hello.............kaun?????.........s..sa...sahil” aarti ne sahil ki khamoshi bhi sun li thi..... sahil ke dil ka rom rom tadap utha ...uska bas nahi chal raha tha ki aarti ke seene se lag jaye...........bas aansu bah rahe the aur wo chuchap aarti ki saanse mahsoos kar raha tha.



“sahil aap thik ho na.............kuchh bolo sahil.........kaise ho aap ” aarti ka ek ek sabd khanjar ki tarah sahil ke kaleje ko cheer raha tha.



Usse aur bardasht nahi hua....usne phone band kar diya aur jor jor se rone laga..........wo aaj 5 sal pahle wale sahil ke jaise ro raha tha ..........tab jab aarti ne use thukaraya tha............sahil jo ek chattan ki tarah apne farz aur desh ke liye taiyar rahta tha,jiske hausle par pure department ko naaz tha,ek ladki ke liye aise tadap raha tha jaise pani ke bin machhli............jab bhi aarti ki bat aa jati wo chattan tut jati ,wo patthar pighal jata ....aaj bhi wahi ho raha tha.




Wo buri tarah se bilakha raha tha ....achanak apne kandhe par use kisi ke hath ka ahsaas hua........usne aansuo se bhari aankhe uthakar dekha.............didi khadi thi aur unki aankho me bhi aansu the...............sahil ko kuchh samajh me nahi aaya ........usne didi ki kamar ko jor se pakad liya aur unse lipatakar buri tarah se rone laga.




“use wapas laa do didi.......plss......use wapas la do..........plssssssssss didi...plsss...” sahil ko khud pata nahi tha ki wo kya kah raha hai...wo aaj hosh me hi kaha tha..................muhabbat aaj use rula rahi thi aur wo muhabbat ke hatho majboor ro raha tha.



Juhi ki muhabbat sahil ki khuskismati thi, lekin aarti ki muhabbat uski majboori thi.........ek aisi majboori jise na sahil kisi ko samjhaa sakta tha aur jise na koi samajh sakta tha.


Ufffff!!!!! kash ye muhabbat na hoti,to shayad samandar itna khara na hota.


Sahil didi ko pakad kar roye ja rha tha.............didi uske balo me hath pher rhi thi lekin use chup nhi kara rahi thi..........bahut der tak rota raha sahil us bich kayi bar aarti ka phone aaya lekin didi ne nhi uthaya....aakhir kisi tarah se sahil ne apne aap ko sambhala aur bahar jane laga.........didi ko kuchh nhi kaha............lekin didi ko shyad uske kuchh kahne se pahle hi sab samjh me aa chukka tha. Sahil door ke pas pahucha hi tha ki didi ki aawaz uske kano me padi.......



“aarti se bat kar lo sahil.......”didi ne phone uski or badhate huye kaha.........sahil chand kadam andar aaya,didi ki aankho me dekha aur fir wapas mud gaya...............saHil ke upar ek nashaa sawaar tha .......wo kya kar rha tha ,kyu kar rha tha wo khud nhi janta tha.........lekin usne aarti se bat nhi ki aur bahar chala gya........



Sahil ki aankhe laal ho gyi thi ek dam ............wo apne kamre me chala gya jis me wo kuchh der pahle tha.......juhi ke sath.........juhi use dikh nhi rahi thi aur waise bhi abhi us par aarti ki khumari chhayi thi .............



Sahil chuchap bistar par let gya.....kuchh hi pal beete the ki juhi sahil ke kamre me aa gayi............sahil ko leta dekh wo paresan ho gyi...........



“sahil aap thik ho na..........” usne sahil ke mathe ko chhute huye kaha.


Juhi ke hatho ki chhuwan se sahil ki aankhe khul gayi.......



Juhi ne sahil ki aankho me dekha .........sahil ki laal aankhe dekh kar juhi tadap uthi......usne turant pas rakhi oil ki bottle li aur sahil ka sar dabane lagi..............




Juhi ke chehre par dard ki rekhaye saf dikh rhi thi...........sahil ki halat dekh kar wo samjh gyi thi ki fir se kuchh hua hai.............juhi jo mummy se bat ke bad se kafi khus thi is waqt sahil ki halat dekh kar udas thi ....sahil ek tak use dekhe ja rha tha..............



Ab tak sahil ko wo yad aa rha tha jo uske aur aarti ke bich tha.............wo bachpan,wo muhabbat .........lekin ab juhi ke wo hath aur juhi ka wo udas chehra use kuchh aur hi yad dila raha tha.............



Sahil ko juhi ka har karam yad aane lgaa..........




“kya nhi kiya is masoom si jaan ne mere liye.............mai iski baho me tadap kar roya .....isne mujhse muhabbat thi, fir bhi mera sath us waqt diya jab mai apni muhabbat ke liye rota tha...........kitna bada dil hai iska jo apni muhabbat ko kisis aur ke liye rota dekhkar bhi use apne seene se laga leti thi..........aur aaj yha......mere liye sare jamane se lad gayi................kitna neech insaan hu mai ..........iski muhabbat ko bhi dhokha de rha hu.............aarti meri muhabbat thi ......aur mai sirf apne swarth ke bare me soch rha hu..........iske bare me nhi soch rha.......kyu aayi hai ye yha........kiske liye................” sahil ka man bahut bhari ho gya.............khud se nafarat hone lagi use........usne juhi ka hath apne hatho me le liya...............




Juhi ruk gayi .......sahil ki aankho me bade pyar se dekhte huye boli.........



“kya hua sahil .......koi problem hai”



Sahil uski or dekhta raha...............aur fir uth baitha............





“juhi mere sath kya hua hai sab janti ho tum................juhi mai kayi bar kuchh kamjor lamho ka shikar ho jata hu...........us samay mujhe yad nhi rahta ki kya sahi hai aur kya galat...........lekin juhi mera bharosa karna......sahil sirf tumhara hai..........mai zindagi bhar tumhara hi rahunga.” Sahil jaane juhi ko bata rha tha ya khud ko.




“sahil hmne aapko apna sabkuchh man liya hai........aur hum us muhabbat me yakeen rakhte hai jisme rishte ek aazadi ka ahssas dete hai us muhabbat me nhi jisme ghutan ka ahsaas ho.....hme apni muhabbat ki shiddat par yakeen hai sahil..........jo hamara hai wo hamare pas aayega........isliye hum uske pichhe nhi bhagte ...................bas apni muhbbat nibhate jate hai............agar wo hamara hua to hamre pas laut aayega...........” juhi bol kar chup ho gyi aur sahil ko lag rha tha jaise har sabd usko sharminda karta ja rha tha.........





“kitna kamjor nikla re tu sahil” sahil ki antar-aatma use dhikkar rhi thi.




“nhi mai kamjor nhi hu.......mai juhi se pyar karta hu.....aur poori zindagi usi se karta rahunga...........” sahil ne ek bar fir pran kiya apne man me .




Wo rat aakhir beet gayi..........dusre din Rahul bhi aa gya..........rahul aur renu ka wahi luka-chhipi ka khel chalta raha.......rohan ab kabhi renu ke aas pas bhi nhi dikhta.............dusre din shadi hokar dulhan bhi aa gyi.



Juhi ne ghar ke andar shadi ki har jimmedari sambhal li thi...............mummy jitni bar use dekhti apne bête ki pasand par unhe naaj hota aur juhi ke liye dua nikalti.




Aakhir himmat karke rahul ne sahil se bat kar hi li..............sahil ne rahul ke sab batane par renu ke sath uske rishte ke liye papa se bat ki aur rahul aur renu ka rishta bhi tay ho gya...........mummy papa ne delhi jakar sarfaraz sahib se milkar sahil aur juhi ki bat bhi tay karne ki planning kar li ......................vaise phone par sari bat ho chuki thi ..............sarfaraz saheb ko kya aitraaz hota bhala .......to sahil aur juhi ka rishta bhi tay ho gya bas kuchh ek formality rah gyi thi ....................aur is rishte ke tay hone me sabse bada role khud sahil ka hi tha..............mummy ke puchhne par usne saf saf kah diya ki wo jald se jald juhi se shadi karna chahta hai. ................Wo nhi chahta tha ki wo kisi kamjor chhad me koi aisa kadam uthaye ki juhi ke dil ko thes pahuche.





(*** Dosto hmne rahul ki story ko skip kar diya. ek bar bich me hamne likha tha ki sahil ko bahut gussa aaya rahul aur renu ke affair ka soch kar, lekin agr hum wo kahani likhne lage to fir kam se kam 10 udate lag jayenge usme.......isliye use chho rahe hai***)





Sahil ne khud ko badalane ki kosis aur tej kar di ................is kosis ka ek aham hissa tha har bat me juhi ke liye muhabbat ................aur juhi ke liye jitni shiddat se muhabbat hoti aarti ke liye use se kayi guna jyada nafarat hoti............sahil ke samne koi aarti ka nam le leta to wo wha nhi rukta.............pta nhi ye sachmuch nafarat thi ya fir sahil ki aarti se door bhagne ki ek kosis.





JYOTI, dheeraj ki wife,aur sahil ki nayi naveli bhabhi......hasmukh,khubsoorat aur seedhi sadhi ladki thi...............sahil unse bahut pyar se bat karta lekin jaise hi dheeraj se samanaa hota wo khamosh ho jata.





Aaj bhi sahil, juhi, didi aur renu sab whi jyoti ke aas pas baithe hasi majak kar rhe the....didi baithi to thi lekin ekdam khamosh thi..............jabki baki sab chahak rhe the ................renu to bahut hi khus thi.................aakhir use uski muhabbat jo mil gayi thi.





Dheere dheere karke sab log chale gaye .........juhi ke papa ka phone aa gya aur wo bhi bahar chali gayi..........sirf sahil aur uski bhabhi rah gaye the...............




“sahil aapse kuchh bat karni hai............” jyoti boli.




“jee bhabhi boliye na” sahil ko guman bhi nhi tha ki jyoti kya bat karegi.....





“sahil aap jante hain hamare papa ne mana kyu kiya tha yha shadi ke liye jabki ek bar sab tay ho chukka tha to”



Sahil janta to sab tha,lekin chup raha.......



“jee nhi” sahil apne bhai ka maan rakhne ki kosis kar rha tha .



“sahil aapke bhaiya ne dilli me ek bahut ghinauni harkat kar di thi...............wo....is se aage ham nhi bata sakte..............” jyoti thodi si mayoos lag rhi thi..........



“aur fir hamne hi papa ko phone karke kaha ki hme inse shadi nhi karni...........” jyoti boli.




“to fir aapke papa ne ab kyu phone karke haa kiya yha par shadi ke liye..............” sahil ke man me ye sawal aana normal tha.




“sahil kuchh din pahle hamare yha aarti aayi thi................” jyoti bolti gayi, aur na chahte huye bhi sahil sunta gaya.




“sahil aarti ne hme samjhaya ki tumhare bhaiya ki galti utani badi nhi thi jitni hme laga.............papa to kiya tha inhone ..............lekin us paap ko karwane wali ne bhi inhe faansa tha.........aarti ne hme samjhaya ki jab kisi se muhabbat kar li to ek mauka to dena banta hi hai.............aapke bhaiya ko us din hamne do sal bad phone kiya to ye bhi bahut sharminda the, ro rhe the.............hmne pyar kiya tha sahil .........kya karte pighal gaye.”




Sahil chuchap sunta raha.......aarti ka jikar use achchha nhi lag rha tha .............lekin abhi bhabhi se kuchh kah nhi sakta tha.




“bhabhi aap ye sab mujhe kyu bata rhi hai....” sahil ne bade ukhade huye lahje me kaha.




“sahil aarti ne hme samjhya muhabbat kya hai.........aur uski baton me bahut dard tha,aisa laga hame..............sahil ye to sab log jante hai ki aarti ko aap se jyada pyar koi nhi karta........bachpan me hum sab yhi sunte the ki sahil-aarti ke jaise raho....... mai to ye soch ke hairan hu ki aarti ko koi takleef hai aur sahil ko pta nhi hai........aisa kaise ho sakta hai sahil.. khair, ho sake to kuchh kijiye aarti ke liye.....use jaroor koi takleef hai sahil......plzzzzzzzz..............use aapki jaroorat hai sahil .............help kijiye uski.” jyoti sahil ke door ke rishte me aati thi aur kayi bar wo pahle bhi sahil ke gaon aayi thi chhote par ....sahil aur aarti ka pyar sablo pata tha.




Sahil jitna aarti se door bhag rha tha takdeer utna hi uska imtehaan le rahi thi.........sahil kuchh nhi bola...........chuchap uthkar bahar chala gya.





Uske dil me ek jwalamukhi foot rha tha........kya karta wo aarti ke liye ..........kaise bhabhi ko batata ki aarti ne use nikal fenka apni zindagi se, sahil ke sare haq chhin liye khud par se......thukra diya uski bachpan ki muhabbat ko ........sahil se hath chhuda kisi aur ka daman tham liya usne..........kaise batata ki kitna tadpa hai use bewafa ke liye.




Sahil kuchh nhi bola,bas apne aansu chupke se ponchh liye............lekin aaj shayad uske sabar ka imtehaan tha.......


Dheeraj mil gya baramade me...........aur koi nhi tha wha...........




“sahil .....ek minute meri bat sun le please..................plsss sahil” dheeraj ne hath jod diye chhote bhai ke samne ,sahil ruk gya ............



“aa idhar bas kuchh der baith ja mere pas............”



Sahil na chahte huye bhi baith gya dheeraj ke sath...........





“sahil jo kuchh maine kiya uski saja tujhe mili.......iske liye mujhe kabhi maaf mat karna..........lekin teri aur aarti ki batchit band hai,itna pata hai mujhe.........in sab me aarti ka kya kasoor hai.............wo to teri ladli thi, us se kyu naraz hai tu.............”dheeraj ne itana hi bola aur sahil gusse se khada ho gya....




“kah liya aapne jo kahna tha ........”sahil aage badhne ko hua to dheeraj ne uska hath pakad kar fir baitha diya.





“sahil sun kuchh bataana hai tujhe.......we sab kuchh hone ke lagbhag 1 mahine bad aarti ne mujhe bulaya apne ghar .......jeeja ne mana kiya tha ki mai wha kabhi na jau....lekin aarti ne jabrdasti ki aur mai wha gaya..........”dheeraj bolta gya aur sahil sunta raha..............




“jaise hi mai ghar ke andar pahucha...............





“ tu yha ?????....himmat kaise huyi teri yha aane ki............sale jaan se maar dunga aaj tujhe .....” jeeja use ghar me dekhte hi nafarat se garaz kar bole.



“nikal ja abhi ke abhi............” jeeja ne dheeraj ka baju pakad liya aur bahar nikalne lage.




“rukiye papa, maine bulaya hai unhe..............”aarti ki aawaz par sab chaunk gaye.





Jeeja bhi aarti ko dekh kar thode thande ho gye................





“wah beti wah............baap ke bat ki koi keemat nhi...sahi kiya tune..........” jeeja behad nirash lag rhe the.jabki didi aur rohan wahi sar jhukaye khade sab dekh rahe the.




“aarti....in sab ka khoon ganda hai....sale jis thali me khate hai usi me chhed karte hain...........ye bhi aur iska bhai bhi..........ha aarti, sahil bhi isi gande khoon ka hissa hai............uska khoon bhi ganda hai...bol ise nikal jaye....nhi to aaj mai sab kuchh bhool jaunga.” Jeeja ka gussa dekh dheeraj sakte me aa gya......




“papa,ek bat puchhu.............”aarti ne bade dheeme kintu thahre huye lahje me kaha.



Jeeja kuchh nhi bole...................




“iske andar kiska khoon hai papa..........” aarti ne Rohan ko aage kar diya jeeja ke samne.




Jeeja sann rah gaye............ye kya puchh rahi thi aarti.............unhe yakeen nhi aa raha tha ki unki laadli aaj ye sawal kar rhi hai.




“boliye papa kiska khoon hai iske andar, aapka to nhi hoga....kyuki aapka khoon to ganda nhi hai na............” aarti ki bat poori huyi hi thi ki jeeja ka ek jordar thappad uske gaal laal kar gaya.



Zindagi me pahli bar jeeja ne aarti par hath uthaya tha..........rohan kaanp gaya............lekin aaj aarti ka ek naya roop dekh rahe the sab.....




“maariye papa.........jaan se mar dijiye.........lekin agar ek bhai ka khoon ganda ho jane se dusre bhai ka khoon ganda ho jata hai ,to ek bête ka khoon tabhi ganda hoga jab uske baap ka khoon ganda hoga.........haan papa...........aapke bête ka khoon bhi ganda hai..........aapka khoon bhi ganda hai...........kyuki jo galti bade mama ne ki hai, wahi galti aapke bête ne renu mausi ke sath bhi ki hai.......puchh lijiye is se............” aarti ki aankho se aansu bah rahe the aur uska chehra gusse se laal tha.use sab kaise pata chala koi nahi janta tha.




Jeeja aage badhe............”rohan bol ki ye jhooth hai” .......rohan kya bolta.




Jeeja ke thapaddon ne uske chehre ka haal bigada diya............mummy na pakad leti to shayad aaj rohan ki jaan le lete papa.



Aarti chuchap ro rahi thi...........papa sar jhukaye jameen par baith gaye...............




“gussa aaya na papa...........i m sorry papa.............mujhe maf kar dijiyega is badtamiji ke liye.............lekin papa mujhe bhi gussa aaya tha.............jab aapne sahil mama par yahi ilzaam lagaya tha........papa sahil mama ka khoon kaise ganda ho gya...........wo to aapke hero the............kya nhi kiya unhone mere liye.......jante hai kyu kiya............kyuki wo sapana dekhne wali aankhe meri thi ,lekin wo sapanaa aapka tha....unhone aapke sapne ke liye sab kiya tha papa...... ..aur aapne kisi aur ki galtiyo ki sajaa suna di unhe..............ek dewata ke gale me fansi ka fandaa dal diya........aapne galat kiya papa.........bahut galat kiya aapne..............sahil ro kar gaye yha se...............mera kaleja chhalani ho gya papa.” Aarti bhi whi papa ke pas baith gayi aur unke kandhe par sar rakhkar rone lagi.





Jo aarti kabhi papa ke khilaf ek lafz nahi bardasht karti thi, kabhi unse unchi aawaz me bat nhi karti thi,, aaj usne papa ko aayina dikha diya tha...........kyuki is bar kalank uske devta par laga diya tha unhone, jiski wo apne man mandir me rakhkar pooja karti thi.




“jeeja galti meri thi ...........mai ek bahkave me aa gya.........” dheeraj ne wo sare love letters jeeja ke samne rakh diye jo varsha ne use likha tha........lekin antim palo me saf mukar gayi ki dheeraj us se jabardasti kar rha tha.




Jeeja aaj zindagi me pahli bar foot foot kar ro rahe the ....aarti ko gale laga liya unhone..............





“mujhe maaf kar de meri jaan.........i m sorry beta................” aarti bhi papa se lipat gayi aur wo dono bilakh bilakh kar rone lage.




Dheerj kah kar chup ho gya.............uski aankh me aansu the..............lekin sahil abhi bhi patthar ki ek murat bana hua tha............





“sahil, aarti tere liye jeeja se takraa gayi bhai.............wo aaj bhi tujhe bahut manti hai.....fir kyu nhi bat karte tum dono................aisa kya ho gya yar.......” dheeraj ne aaj shayad zindagi me pahli bar koi achcha kam kiya tha....




Sahil kuchh nhi bola....uske andar ke jwalamukhi ka lava foot gaya tha aur ab wo sahil ke dil ko jhulsa raha tha.




Sahil juhi ke liye apni muhabbat ko sabit karne me is kadar gum tha ki use kuchh samajh me nhi aaya ....uske dil me bas yahi chal raha tha ki aarti ki muhabbat dhokha aur juhi ki muhabbat nishpaap.........aur wo ise sabit karna chah raha tha...............zindagi ke rahe itani kathin ho gayi thi ki sahil sahi galat ka faisla nhi kar paa rha tha.





Sahil juhi ke sath lucknow wapas aa gya tha .....papa ko bhi sath laya tha...unhe kuchh heart problem thi ....lucknow ke doctor ne delhi refer kar diya tha aur aaj sahil aur juhi dono papa ko lekar delhi ke ek famous hospital me admit the...............




Koi serious issue nhi tha par ahtiyat ke liye admit ho gaye the wo.




Sahil aur juhi papa ke room se bahar nikle, canteen ki or ja rhe the.......tabhi sahil ki nazar kisi par padi.................





“VISHAL” sahil ke muh se nikla.




“aap jante hai use...........” juhi ne sahil ko kuchh dur par khade ek young doctor ki or ghurate huye dekhkar puchha...........wo kisi lady doctor se bat kar rha tha..............




Sahil ne juhi ka hath pakada aur unke opposite direction me chal pada..............




“sahil kaun hai wo.........” juhi hairan thi ............sahil ke chehre par ek sakhti thi .......wo kuchh nhi bol rha tha.........



Juhi ko kuchh dar sa lag rha tha..............



“sahil meri kasam, kaun hai wo............” juhi ruansi ho gayi........



“aarti ka pati.............”sahil ne badi muskil se kaha.




Juhi ka muh khula ka khula rah gya ..........usne chalet chalet hi pichhe palat kar dekha............uski aankhe aur badi ho gayi...............wo ladka us lady doctor ko kiss kar rha tha ........tanhayi dekhkar ek kone me dono ek dusre me buri tarah se lage huye the.




Juhi ne sahil ka hath pakad kar jor se khicha aur dono palat gaye..................



Wo kafi door the ...............lekin corridor ekdam seedha tha to sab saf saf dikh rha tha..............




Sahil ne dekha ..............aur fir wapas chal diya, jaise kuchh hua hi na h................juhi ko bahut hairani ho rahi thi sahil ke behavior par.





“sahil wo aarti ka husband hai..............kya kar rha hai wo...........sahil apni aarti ka husband...............” juhi bolti rahi lekin sahil uska hath pakde chalta raha............ab wo dusri or se chalakar canteen me pahuch gaye................sahil ke dil me kya chal raha tha wahi jane, lekin chehre se yahi dikha raha tha ki kuchh hua hi nahi....




Sahil ne kuchh order kiya aur wait karne laga..................juhi ka chehara gusse se bhabhak raha tha.........





“sahil ye kya hai..........” juhi ne kaha.




“kya hua” sahil ne jabrdast ignore kiya.


“aap se ye ummeed nhi thi sahil.............”


“kya kiya maine...........”




“damn it!! Kya kiya aapne??????? jo kuchh aapne dekha uska matlab nhi jante aap.................”juhi rone lagi.




“ wo dhoka de raha hai aarti ko...............aapki aarti ko dhokha de raha hai sahil........aapki aarti ki zindagi se khel raha hai............aapki aarti ki zindagi barbad kar rha hai............aapne kaise bardasht kar liya sahil...........apni aarti ko barbda hote kaise dekh liya aapne............ap wo sahil nhi ho jise hm jante hai, jis se hum muhabbat karte hai,,,...wo sahil nahi ho jiski ham ibadat karte hai........” juhi foot foot kar ro rahi thi aur sahil sunn ho gaya tha..............




Uske kan me juhi ke sabdo ne tufan macha diya tha............wo jaise kisi jadu ke prabhav se bahar aa gya tha........juhi ke wo sabd uske dil ko aaj ek bar fir cheer gaye...............





“aapki aarti ko barbad kar rha hai sahil, use dhokah de rahaa hai sahil.......aapne kaise bardasht kar liya sahil ” ye sabd jaise sahil ke rom rom me aag laga rhe the...........



Sahil tufan ki tarah canteen se uda tha ..............gallery se bhagta hua wha pahucha jaha vishal tha.........




Jab tak sahil wha pahuchata wo car me us lady ke sath baithkar nikalta dikh gya............sahil us car ke pichhe paglo ki tarah bhagne laga.........uski aankho se jhar jhar aansu bah rhe the..........





“meri aarti ko dhokha de raha hai, meri masoom aarti ko..........uski zindagi ke sath khel raha hai..........meri aarti ki zindagi barbad kar rha hai.............duniya ko aag laga dunga usko kuchh kiya hoga kisi ne to”




Sahil paglo ki tarah daud raha tha.....aaj use fir se wahi bachapan ki aarti nazar aa rhi thi, aaj fir uski aarti par aanch aa gyi thi..............aaj fir mano use aarti bahe failaya apni or bula rahi thi, aa jao mujhe bacha lo................us aarti ki poori zindagi ki khusiya daw par lagi thi jiski ek chhoti si khusi ke liye sahil kisi se bhi lad jata tha ..........kuchh bhi kar jata tha......aaj to sawal uski zindagi ka tha.........aaj sahil ko kaun rok sakta tha........aarti ki zindagi me lage grahan ko door karne ke liye aaj fir uska sahil sabkuchh pichhe chhodkar aarti ki khusi ki pichhe bhag raha tha.




Pyar ka ye rishta hi aisa tha...............aarti ki khusiyo par kisi gham ka saya mandraye aur sahil na aaye, aisa to shayad kudarat ka kanoon hi nhi tha.............sahil aaj apni jindagi ke liye bhag raha tha..........bas use ahsaas nhi tha is bat ka....dekhna bas itna tha ki is bar aarti ki khusiya use laakar de pata hai ki nhi uska sahil.



Kahaan hoti hai aisi muhabbat ?............juhi jaisi muhabbat, jisne aaj sahil ko uski aarti ki khusi ke liye bhej diya tha,- aarti jaisi muhabbat jisne apne pyar ke liye apne papa se unke khoon ka rang puchh liya tha ....sahil jaisi muhabbat ,- jo har kadam par tootne ke bad bhi apni “bewafa” muhabbat ki khusi ke liye paglo ki tarah bhag raha tha.


Dosto muhabbat ho jaiye kisi ke sath, to aise hi nibha dena, dil ko sukoon mil jayega.


Sahil paglo ki tarah us car ke pichhe bhag rha tha jisme uski aarti ki khusiya luti ja rhi thi.......lagbhag 1 km bhagta raha...............aur fir wo car ruk gayi.............shayad chalane wale ne use bhagte huye dekh liya tha.........




Sahil teji se car ke paas pahucha aur jaise hi gate khula vishal ko bahar khich kar us par toot pada .........sahil ro raha tha aur vishal ko mar rha tha .............




“meri aarti ko dhokha diya tune...........us masoom ko.......”sahil bar bar bas itna hi bol raha tha......aansu to jaise uski kismat ban gaye the..............




“rukiye aap.........plssssssss” vishal ke sath jo ladki thi wo sahil ko rokane ki poori kosis kar rhi thi.........lekin sahil ek junoon sawaar tha..........





“rukiye plsss.......”is bar wo ladki vishal se lipat gayi aur sahil ke hath apne aap ruk gaye...........ladki badi dardanak nigah se uski or dekh rahi thi..........sahil ki aankho ke aansu use bahut kuchh sochane par majboor kar rhe the................




“ye kamina hai....ye aapko bhi dhokha de raha hai ..........................jaise isne meri aarti ko diya......ye married hai..............meri aarti se shadi ki hai is kamine ne.............meri aarti se..............” sahil khud ko bahut majboor mahsoos kar raha tha......




“nhi aapk ko koi galatfahmi huyi hai......ye mera fiancé vishal hai.........isne kisis ko dhokha nhi diya......” ladki ne bade bharose se kaha.




“kutte chup kyu hai ????? bata ise ki jo mai kah raha hu sach hai......bata nhi to aaj sahil apni aarti ke liye har had par kar jayega............” sahil garajate huye bola



Vishal kuchh nhi bol raha tha lekin uske chehre par sharmindagi ka koi bhav nhi tha...........na hi sahil ke liye koi nafarat.............




“bolo vishal, batao inhe ....batao sach kya hai..............” ladki ne vishal ki aankho me dekhte huye kaha..........bada maan lag raha tha use vishal par............





“Sorry sir, aapki kisi bat ka jawab nhi hai mere pas.........aap ek rishte ka farz nibha rhe hain............samjhta hu mai...............lekin dosti ka ek vada hme bhi nibhana hai...............chahe to jaan le lijiye ..........chal suman ................” vishal ladki ke sath chuchap wapas car me baith gya.........




“aarti mere pas nhi hai sir , I m sorry ” vishal ne jate-jate bas itana hi kaha aur sahil ki aankho se car ojhal ho gayi...........kuchh aisa tha vishal ki aankho aur baton me ki sahil kuchh kar na paya....na us se aur kuchh puchh paya na use rok paya...




Wo chuchap hospital laut aaya........ek gahri mayoosi thi uske chehre par..........juhi ne use dekha aur bina kuchh kahe hi shayad sab kuchh samjh gayi..............




Sahil ke dil me ek toofan chal raha tha........




“ye kya ho raha hai mere sath ....kyu ho raha hai.......kya chahti hai ye kudarat mujhse...........ab jab mai use bhool jana chah raha hu to kyu wo bar bar meri raah me aa rhi hai................”




“kya hua sahil.........kya kaha usne.......aapne use chhod kyu diya..........” juhi se raha nahi gaya sahil ki khamoshi dekhkar.............use lag pata tha ki is khamoshi ke pichhe ek bahut bada toofan daba pada hai.




“kuchh nhi bataya usne aur wo kuchh batayega bhi nhi.............” sahil ne sar jhuka kar dheere se kaha.




“to fir ????” juhi ne badi masoomiyat se puchha............




“kya karu mai juhi........” sahil aaj bahut udas ho gya tha........bas itna hi bola aur juhi ke kandhe par sar rakh diya.............ek kmajor ho rahe insaan ko khuda ne ek bahut majboot sahara de diya tha...........




“sahil aaj aarti ko aapki jaroorat hai, jane aisa kyu lag raha hai mujhe..........”juhi ne kah hi diya jo uske dil me tha, apne dil par patthar rakh kar hi sahi, ..........kaisi thi uski muhabbat ????????...shayad kisi insaan ke bas ki bat to nhi thi is kadar muhabbat karna.




Sahil kuchh nhi bola................




Thodi der bad sahil ke papa ko discharge kar diya gaya..........unhe lekar sahil juhi ke purane ghar pahucha....wha par ek do mulazim rahte the.............juhi ke papa ne use becha nhi tha aur kabhi kabhi wha rahne aa jate the............




Papa ki tabiyat ab thik thi..........sahil tha to unke sath lekin uska dil to kahi aur hi laga hua tha.............




Juhi sahil ki halat achchhi tarah samajh rahi thi.........lekin use bhi nhi samajh me aa rha tha ki kya kare...........




Sahil ne bari bari se didi ke yha sabka phone try kiya lekin kisi ka phone nhi lag rha tha...............didi ke phone par bell ja rhi thi par koi utha nahi raha tha.........aur aarti ka number to tha hi nahi sahil ke pas...........kitne dino se nahi tha ........na uske sasural ka address tha...........fir vishal ne jate jate kaha tha ki aarti mere pa nhi hai to wha jane ka koi matlab bhi nhi tha.................




“Juhi mai thodi der me aata hu.................” sahil ne kaha aur bahar nikal gaya............




Juhi chuchap use dekhti rah gayi.........kya kar rha tha sahil wo janti thi ...............kitna majboor tha ye bhi janti thi.......lekin fir bhi sahil mujarim tha juhi ka.





Sahil didi ke ghar pahucha ..........lekin waha pe lock laga hua tha.........pas-pados me puchhne par kuchh khas pata nhi chala...........bas itna hi ki koi 4-5 din pahle aarti ke mummy papa yha se gaye aur rohan aur aarti to pahle se hi nahi yha rahte the..................




Hazaro khyal aa rhe the uske man me..................sahil ka dimag kam nhi kar rha tha...........sahil bike se dilli ki galiyo ki khak chhan raha tha.......kuchh samjh me nahi aarha tha ki kya kare...............




Kuchh bahut keemati kho gaya tha uska aur use hi shayad dhundh raha tha.............





Aaj tak kismat ne sahil ka sath kabhi nahi diya tha, lekin aaj shayad dene wali thi.............sahil baawra sa bhatak raha tha ..............bheed me idhar udhar dekh raha tha..........lekin uski nigahe jise dhundh rahi thi wo chehra nhi tha us bheed me.......... achanak sahil ki nazar us college par padi jaha aarti ka admission hua tha MBBS ke liye......sahl ne jhat se bike roki aur andar pahuch gaya...............




Sidhe DEAN ke pas pahucha apna parichay diya aur apna issue bataya..........sahil ko turant ek clerk ne attend kiya aur wo use lekar ek room me pahucha................




Sahil ke samne computer screen par aarti ki tasweer aur uski academic profile thi......year of admission ....form no....candidate ID....... aur uske hath me aarti ka admission form............




“Par sahib, in mem sahib ne to yha se sirf ek sal hi study kiya hai.......” us clerk ne kaha.




“hummm...........ha usne apna transfer karwa liya tha shimla me..............first year ke bad hi...........” sahil ne kaha...




“sahib shimla me isi college se afilliated ek college to hai ................ lekin yha se koi transfer nhi karwa sakta wha............aisa to koi system nhi hai...............” clerk ne jaise hi kaha ,sahil ko mano hazar volt ka current laga..





“kyaaaaaaaaaaaa??????? Nhi nhi tumhe pata nhi hoga........usne karwaya tha transfer......”sahil ke samne ek aur uljhan aa khadi huyi thi....




“maloom nhi sahib ...par rules to allow nhi karte............” usne bas itna hi kaha.




Sahil wha se bahar nikla aur ek bar fir se dean ke room me pahucha.........DEAN ne clerk ki bat ko confirm kiya........rules yhi the ki last year me hi koi student transfer karwa sakta tha...........to fir aarti ne first year me kaise karwaya.............





“sir iska kya matlab hua?” sahil ne dean se puchha.




“sir iska matlab yhi hai ki first year ke bad student ne study chhod di..............kam se kam hamare yha se to nhi ki............haa kahi aur se ki ho to hum nahi kah sakte “ dean ne sahil ko bataya.





Sahil ka dimag jaise fatne ko tha........



”ye sab kya ho raha hai............aarti ne jhooth kyu bola.............kis se puchhu mai..”




Sahil ko kuchhh bhi samajh me nhi aa rha tha, pahle vishal aur fir ye sab.......




Lekin aaj kismat har mod par sahil ka sath dene ko taiyar hi khadi thi mano.............



Wo dean office se nikla aur jaise hi bahar ki or badha uski nazar ek bade se frame me lage huye photo par padi..............



Sahil ki dil dhakk se kar gaya............uske muh se anayas hi nikla




“JEEVAN-VATIKA”



Sahil ki uljhane sulajh nhi rahi thi aur use ab ek “BEWAFA “ka samna karna hi tha.........aur dusri taraf thi wo masoom juhi , jiski muhabbat ki kasti to aise majhdar me fasti ja rhi thi jiska koi kinara nhi mil raha tha...........kya kar sakta tha koi.......sab majboor the ...kuchh kismet ke hatho aur kuchh muhabbat ke hatho.




ufffffffff kash ye muhabbat na hoti.
 
Member
106
171
43
UPDATE 1



"Maine kabhi aapse ye to nhi chaha tha aapne aisa q kiya , maine jo bhi kiya sirf aap ki khusi ke liye kiya . mai janti hu mere ravaiye se aapko kafi taklif pahuchi h lekin mere pas aur koi rasta nhi tha
.plz mujhe koi bhi saja dijiye par is tarah muh na modiye .mujhe apni safai dene ka ek mauka to dijiye ya koi saja dena chahe to dijiye par itni badi saja mat dijiye ki m zinda hokr bhi jee na saku,, pleasssss"



Aarti Sahil ke sirhane baithi roye ja rhi thi jo zindagi aur maut ke bich lad rha tha .uske masoom se chehre pr aansuo ki ladi lag gayi thi. pichhle teen gante se roye ja rhi thi wo .aaj us Aarti ko duniya jahan , ghar-parivar kisi ka koi dar nhi tha , dar to bas is bat ka tha ki uski zindagi me khusiyo ke rang bharne wala ,mayusi me zindagi ka sath na chhod de.aarti ki mummy pushpa,bhai Rohan aur papa shankar dayal bhi is waqt usi hospital me the .sabke chehre pr udasi thi

"aapko yad hai aapne mujhse vada kiya tha ek bar ki m aapse zindagi me koi bhi ek cheej mang sakti hu,,aaj mujhe mera wo gift chahiye ,,aapko apna vada nibhana hoga, mujhe mere sabse achchhe dost ka sath chahiye , mujhe meri sabse badi khusi chahiye ,mujhe mere zindagi ko wo khubsurat sitara chahiye.plz come back, i can't live without you ..pleasssssseeee"

aur inhi sabdo ke sath dusri bar behosh hogyi thi Aarti.



,hospital me maujud uske mummy papa dukhi bhi the aur hairan bhi. dukhi isliye the ke Sahil ki halat bht najuk thi aur hairan isliye qki Aarti ki bato ne unhe bahut kuchh sochne par majbur kar diya tha . SAhil Aarti ka Mama tha aur umar me us se takriban 5 sal bada. mama ke liye dukhi hona jayaz tha lekin DOST aur wo bhi itna gahera rishta ye shayad kisi ko samjh me nhi aaya tha.

Lekin Aarti ko aaj in sab bato se koi fark nhi padne wala tha , aaj use apna astitwa hi bura lagne lga tha ,Sahil ki is halat ka zimmedar wo khud ko samajh rhi thi.pichhle 4 salo se Sahil se uski bat chit band thi aur isme jyada bada hath uske apni berukhi ka hi tha .lekin aarti ka dil hi janta tha us berukhi ki vajah .



Dr.Tapaswi ko lekar Rahul kamre me pahucha jaha Sahil maut se ladne ki jee tod kosis kar rha tha.


Sahil ek honhar IAS officer tha jiski training ke bad pahli posting LUCKNOW me as a S.D.M. hui thi aur Rahul uski sabse close friend tha lekin shayad BEST-FRIEND nahi.Rahul aur Sahil sath sath civil services ki preparation kar rahe the aur sath sath hi select bhi ho gaye the.Rahul as an IPS officer and SAHIL as an IAS.


Dr TApaswi Sahil ko check kar rhe the aur unhone sister ko bulakar use koi injection lagane ko kaha.



"mummy aap aa agyi"pushpa daudate huye apni maa SARITA DEVI ke gale lag gayi jo abhi bete ke bimar hone ka sunkar apne pati RAMNARAYAN ke sath gaon se aaye thi. " kya hua mere lal ko , kisi ne mujhe pahle q nhi bataya , kaisa h wo , mujhe abhi milna h."



"nani, mama bilkul thik ho jayenge ,aap chup ho jaye , Dr puri kosis kar rhe hai.aap abhi unse nahi mil sakti abhi wo behosh hai " Roahan bola.



sahil pichhle teen dino se behosh tha aur hospital me tha.



Rat ke1 bje RAhul ko phone aata hai ki SDM sahb ki car ka accident ho gya h aur wo road ke kinare pade huye h,Rahul jo ki Mirzapur me as ACP posted tha us din SAhil ke ghar hi aaya tha leki usne ye bat sahil ko nhi batayi thi qki wo use surprise dena chahta tha.



RAHUL sahil ke Bunglow par pahuch kar uska wait kar rha tha jab use phone aata hai.shayad caller ne Sahil ki call list me rahul ka number dekhar use call kiya tha . RAHUL jab tak spot par pahuchata h waha kafi bhid lag chuki thi aur log SDM sahb ko hospital le ja rhe the . RAHUL jaldi se ambulence me baithkar Sahil ka sar apni god me rakh kar use bulane lagta h.sahil ko sar par kafi chote aayi thi,,aur wo behosh ho gya tha. Sahil ka gala bahr aata hai uski halat dekhkar.



Sahil uska dost to tha hi lekin ek bahut achchha insan bhi tha jis ne zindagi me sirf dena sikha tha. ambulance apni speed se badhi jaa rhi thi aur Rahul roye ja rha tha aur Sahil ko uthane ki kosis bhi kar rha tha .


achanak Sahil ko hosh aata h. wo badi muskil se apni aankhe kholta h ,,Rahul ko dekhkar uske chehre par ek muskan aa jati h ..aah... kitna dard tha us muskurahat me..




Sahil ke hoth fad fadane lagte h,,,Rahul jhukar apna kan uske pas kar deta h."Rahul, mai jeena nahi chahta yar" bas itna hi bol pata h Sahil aur uski aankhe band hone lagti h.



"Sahil plz aankhe khol yar. aisa mat kar mere sath mere bhai . sale tune to kaha tha hm apni dosti ko ek misal banayenge ...achchhi dosti nibha raha h, pahle papa- mummy chhodkar chale gaye ab tu bhi sath chhod raha h ...plzz aisa nhi karna mere yar " fut futkar rone lagan tha wo sadhe 6 feet ka banka naujwan. aur tab se lekar abhi tak sahil behosh tha .teen din beet gaye the .Sahil ke didi jeeja to agle din hi aa gaye the lekin uski mummy aur papa ko bad me khabar di gayi thi.



Sahil ki sanse thamne lagi thi..aur uski ye halat dekhkar har koi sakte me aa gya tha.SAHIL ki didi aur mummy tej tej rone lagi.

"plz Dr sahab mere bete ko bacha lijiye" .



aarti rone ki aavaj se wapas hosh me aane lagi aur kuchh hi palo bad pure hosh me aa gyi ."nani, plz mama ko bacha lo "apni nani ke sine se lagkar tadap uthi thi wo.SAHIL ki halat dekhakr Aarti ka dil tadap utha. wo SAHIL se liptakar rone lagi ...



Dr ne nurse ko electric shock dene ko kaha .Aarti ko rohan ne sahil se jabadasti alag kiya...do tej jhatke diye gaye aur sahil ki sanse tej chalne lagi



.wo apne seene ko jor se dabaye tha.usne dhhere dhhere aankhe kholi-samne aarti khadi thi.wo Aarti jo jise wo apni sabse badi takat samjhta tha aur jiske aansu aaj bhi uski sabse badi kamjori thi. Aarti ka pura chechra aansuo se bhiga tha aur aankhe suj kar lal ho gyi thi...kitni tadap aur chahat thi un aankho me ..Sahil ki aankho se bhi aansu bahne lage aur wo sar hilakar aarti ko chup hone ko bolne laga .


Rahul daudkar sahil ke pas pahucha ...Sahil ki aankhe bhar aayi thi apne dost ko dekhakar."




Dr Tapaswi jante the ki abhi wo thik nhi h aur ye bas electric shock ke khatke ki vajah se kuchh chhado ke liye samanya lag rha h .SAHIL ki saanse fir tej chalne lagti h .



" Mujhe bacha le yar. .."itna hi kah pata h Rahul se aur uski sanse ukhadne lagti h."



ise fauran ICU me le chalo"rahul unke peeche bhagta h , aarti baukhlayi si uske picche jati h,kintu dono ko gate par hi rok dete h .




"Dr plz unhe bacha lijiye nhi to m jee nhi paungi" Aarti ICU ke seeshe ko pakadakr siskane lagti h ..us samay uske itne karib sirf rahul tha jo use sun paya tha.Sahil ki maa daudt hui waha aa jati h .pushpa "mummy chup ho jao, use kuchh nhi hoga upar wala hamse hmara heera nhi chhin sakta , use kuchh nhi hoga mummy "


" .dono maa- beti gale lagkar rone lagti h



Rahul ke dimag me abhut sare sawal uth rahe the . yu to wo sahil ke bahut karib tha pr fir sahil ki zindagi ka ek kona aisa tha jise usne kisi khas k liye bacha ke rakha tha .



"tumhe kabhi maf nhi karunga, bewafa " aksar Rahul ye sentence dekhta tha likha hua , kabhi sahil ki notebook ke kissi page par , kabhi kisi book ke cover par ya fir kisi news paper ke editorial par . aaj tak Sahil ne us se kabhi iske bare me bat nhi ki thi .EKBar usne puchha tha sahil se , bs itna kahta" kuchh nhi yar bas kisi ki bewafai yad aa gayi..ek bar us se jarur puchhunga ..usne q kiya mere sath aisa...AAKHIR KYU"



uske bad Sahil ne Rahul se promise liya ki ab wo kabhi iske bare me nhi puchhega . Rahul ko na chahte huye bhi uski bat man ni padi.



par in teen dino me bahut kuchh aisa hua tha jisne use bahut kuchh sochne par majbur kar diya tha . pahle Sahil ka wo kahna ki ma jeena nhi chahta fir , wo ki mujhe bacha le yar aur aarti ki tadap ...ab kuchh kuchh use samjh me aane lag tha lekin wo nhi janta tha ki zindagi ke khel kaise ajeebo garib hote h...abhi in sab sawalo se upar tha sahil ki zinadgi ka sawal.




aarti " agar tumhe kuchh hogya to m jee nhi paungi sahi,mujhe apne aap se nafart ho rhi h sahil ,,ek bar mujhe seene se lagakar bol do maine tumhe maf kiya..mai tumhari ganahgar hu, lekin mai majboor thi .ab m tumhara sath kabhi nhi chhodungi ..plz come back jan plz come back.."

Aarti ki aankho se har jhar aansu bah rahe the aur atit ke panne uski aankho ke samne khulte chale jate h..
Good story. One of my favourite ones
 
Newbie
25
25
3
UPDATE 19

Sahil ki aankhe us tasweer se chipak kar rah gayi...............



“jeevan-vatika” .........use aarti yha lekar gayi thi........use sab yad aa rha tha...........




“Kahi wo sab log shimla to nhi chale gaye..................”achanak sahil ko khyal aaya..........




“par shimla kyu jayenge...........ho sakta hai ki didi ghoomne gayi ho....rohan to pahle se hi ghar par nhi rahta aur aarti vishal ke bich kuchh unban huyi ho.........ho sakta hai aarti ka shimla jana use pasand na ho............lekin fir vishal ki baten............??????” sahil ke soch ke ghode bahut tej daud rahe the lekin wo kisi nateeje par nhi pahuch paa rha tha........thak harkar wo wapas laut aaya juhi ke pas...........dil to chah raha tha ki ud kar pahuch jaye aarti ke pas lekin juhi ko kaise chhod deta.................????????




“kya hua sahil...........”juhi hath me coffee ka cup lekar sahil ke bagal me baith gayi aur use pakadate huye boli.





“kuchh nhi.........juhi aarti ne MBBS nhi kiya tha.............usne jhooth bola tha............aur bhi jane kya kya jhooth kaha hai usne................” sahil bahut dard me tha aaj...........bas itna hi bola .




“kaha hai abhi wo.............”juhi ka dil ro raha tha lekin badi majbooti se usne khud ko sambhal rakha tha.............




“pata nhi ............” sahil is bar bhi itna hi bol paya .........uski aawaz ab bheegne lagi thi.




“sahil,u ok na.........thik ho na aap.............” juhi ne pyar se uske kandhe par hath rakhte huye kaha...........




“nhi juhi !!!!!!!!! Thik nhi hu mai.........mujhe khud se nafarat hoti hai, bahut jyada nafarat...............mai bahut khudgarz insaan ho gya hu juhi.............kisi ke liye life me kuchh nhi kiya maine............bas hmesa apne bare me socha ..........keval apne khusiyo ki parvah ki maine,.................” sahil ke aansu ab aankho me samaa nhi paa rhe the.




“aisa mat kahiye sahil........plz......” juhi ka zabt bhi ab zawab de raha tha.




“nhi juhi kah lene do............plsss.....nhi to mera sar fat jayega...........juhi mai tumhare sath bahut galat kar rha hu .......mujhe ahsaas hai juhi .......kya kuchh nhi kiya tumne mere liye...........meri kismet ke sitare ko gardish se nikalakar bulandi par pahucha diya............meri roti bilakhati zindagi me ek bar fir se naye rang bhar diye...........mujhe sab yad hai juhi..........wo tadpana ,bilakhana aur fir wo tumhara mujhe samet lena..................” sahil ab ro raha tha aur bole ja raha tha................




“juhi mai kuchh nhi bhoola hu.............kis tarah se tumne aur khan baba ne ek marte huye insaan ko nayi zindagi di, kaise bhool sakta hu mai...................khan baba se kiya wada yad hai mujhe juhi...........lekin mai wo wada nibha nhi paa raha ..........ahsaah hai mujhe......................mai kya karu juhi...........sari duniya se takra jaun tumhare liye.........lekin jab us ka nam aa jata hai to mai bahut bebas ho jata hu..............haan juhi mai bahut majboor ho jata hu............meri sari soch mera sath chhod deti hai..........uski muhabbat mujhe kuchh sochane nhi deti.............” juhi ke bhi aansu bah rahe the aur wo sahil ka hath apne hatho me lekar uski baten sun rahi thi.




“juhi tumhe to sab pata hai, janti ho na kya kiya hai usne mere sath.......lekin fir bhi mera dil uski or bhagata hai............use dekhne ko dil karta hai.........juhi main kya karu ..........plsss batao mai kya karu.............mujhe maaf kar do juhi ...........pls maaf kar do yaar.............” sahil itna bol kar chup ho gaya aur niche dekhne laga....aansu tap tap jameen par gir rahe the.




“sahil, maine muhabbat ki is shiddat se hi to muhabbat ki hai..........aapki muhabbat me itani tadap thi ki mujhe aapse muhabbat ho gayi..........aur muhabbat me insaan kitna majboor ho jata hai iska ahsaas mujhe bhi hai..................sahil aap kabhi mat sochiyega ki aap mujhe dhokha de rahe hai..........sahil aap jaiye aarti ka pata lagane................aap jab bhi aayenge juhi aapko aise hi aapka intjaar karti huyi milegi.........” juhi sachmuch ki pari thi kyuki itna badaa dil kisi insaan ka to nhi ho sakta...........




“nahi juhi..........mai nhi jaunga akele.......tum chalo mere sath.......pls.........” sahil ne kaha.



Aur juhi ne ek bar nhi puchha mai kyu jau,kaha jana hai,kab jana hai...........apni muhabbat ki muhabbat dhundane jane ko taiyar ho gayi wo pari.........use dhundhane ja rahi thi juhi , jiske milne se bhi use dukh hona tha aur jiske na milne se bhi use dukh hi hona tha.................





Sahil ne ek bar shimla jane ka faisla kar liya tha.....dilli me jitana pata kar sakta tha kar liya lekin kuchh pata nhi chal paya............sahil aur juhi dusre din shimla pahuch gaye..............




Sahil seedha us hospital gaya jaha use aarti lekar gayi thi...........



Ek bar fir se sahil ko chhan bin karni padi.............hospital ka administration waise hi tha jaise sabhi bade hospital ka hota hai......students aur patients ke sare recorda alag alag jagah maintain kiye jate the............sahil ke puchhane par pata chala ki same aarti singh ka admission waha hua tha lagbhag 6-7 sal pahle aur usne waha se apni MBBS ki degree complete ki thi............



Sahil ne aur kuchh nhi puchha aur juhi ke sath bahar nikal aaya................lekin abhi bhi kayi sare sawal the jinke jawab nhi mile the......khas karke aarti aur vishal ki shadi ka .



Sahil ne ek nazar door bane khoobsoorat JEEVAN VATIKA CAMPUS par dali aur juhi ke sath us or badh gaya.............



Thodi der wha ki khakh chaan ne ke bat sahil bahar nikal gaya.........wha se bhi aarti ka koi surag nhi mila..........sahil ka dil bahut bhari ho raha tha...............




Wha ke staff se pta chala thi ki aarti nam ka koi wha nahi tha.........sahil behad uadas sa bahar aa gya aur chuchap ek bench par baith gya.........juhi bhi sath me thi aur sahil ke dil me chal rahe tut foot ko mahsoos kar rhi thi lekin aaj wo bhi bahut majboor thi.




Sahil kuchh der yuhi chuchap baitha raha fir juhi ki aankho me dekhte huye bola................



“juhi,kaha dhundhu mai use........milti kyu nahi wo mujhe.......aise bhi koi naraz hota hai kya......... Juhi tum ne har kadam par mera sath diya hai...........juhi tum to pari ho na...plss bolo na apne us khuda se ki ek bar mila de mujhe us se ........mai use ek bar dekh lu fir chala jaunga..........plss juhi bola na ki mujhe ek bar aarti se mila de.” Sahil itane yakeen se kah raha tha mano sach me juhi koi pari ho aur uske pas koi jadu ki chhadi ho.




“sahil,aarti aapko jaroor milegi......jaroor se milegi....plsss rowo mat sona.” Juhi ne uske aansu ponchhte huye use apne gale se laga liya aur dil me apne rab se dua mangne lagi..........apni muhabbat ko khud se door karne ki dua............ uske kisi aur ke ho jane ki dua...........wo jan chuki thi ki chahe aarti ne sahil ke sath kuchh bhi kiya ,lekin sahil ke dil me aaj bhi aarti hi dhadakati hai........aur wo sahil ko uski muhabbat mil jane ki dua maang rahi thi............bina apni muhabbat ki parwah kiye.......  Kaisi muhabbat hai ye ???? 




Sahil aur juhi thodi der baad main gate se bahar nikale aur apni gadi ki or badhane lage.........sahil ke hath ek bar fir nirasha lagi thi.................lekin is bar uske sath ek pari thi, jo har pal uski takdeer ki rekhaon se lad rahi thi aur unhe badal rahi thi ............aur is bar bhi aisa hi hua................




“aap sahil hain na............” sahil sar jhukaye bahar nikal raha tha jab ek ladki ki aawaz par uska dhyan toota aur usne sar uthakar dekha.


Samne 3-4 ladkiyon ka group tha......aur unme se ek ladki wahi thi jo sahil ko tab mili thi jab wo aarti ke sath yha aaya tha.......sahil ne dhyan se dekha ...pahchan to gya tha par thoda confuse tha............



“are aapne shayad pahchana nhi.......mai aapse mili thi jab aap aarti ke sath aaye the.........remember?” ladki ne use yad dilaya.



“oh........haan....yad aaya.” Sahil ko umeed ki ek kiran nazar aayi.



“aarti se milne aaye the aap...........?”


“haa....kya hai wo yha par..........??” sahil ne jaldi se puchha.




“haa...cottage no 012 me hai.......shayad mummy ke sath apne..........aap kyu nhi aaye uske sath......she needs u..........zindagi ke ************ ” sahil ne bas cottage no hi suna aur juhi ke sath turant palat gya....aage wo ladki kya bol rahi thi usne suna bhi nahi.




Sahil daudate huye cottage dhundh raha tha......juhi bhi teji se uske pichhe aa rhi thi...............


010,011 and .........012......... sahil ne jor se door khola aur andar ghuste hi chilla pada...............


“aarti , kaha ho tum............mai aa gya aarti.”


Samne mummy bed par baithi huyi thi...............



“sahil?” didi ko jyada aascharya shayad nhi hua........mano wo sahil ka intzaar hi kar rahi thi.............



“didi ,aarti kaha hai...sab thik hai na..........kaha hai aarti........????” sahil ki aawaz me itani tadap thi ki didi ka bhi dil tadap utha...........aaj wo tufan aa hi gaya tha jiski aashanka unhe barso pahle ho gayi thi............


“haa wo bas..........sab thik h, aao.......meri tabiyat kharab ho gayi thi to aarti yha le aayi..............thik h sab kuchh.....are juhi...aa ja beti..........” didi ne juhi ko dekh liya jo darwaje par hi ruk gayi thi..............juhi ka dil bahut udas ho raha tha.........kitni berahmi se usne didi ko daant diya tha unke ghar par aur wo aaj bhi us se itane pyar se bat kar rhi thi...........




“aarti kaha hai didi.......” sahil ka sabr jawab de raha tha....aur uski bechaini un fizaon me ghul gayi thi .........................sahil ki is aawaz ke sath hi washroom ka darwaz khula aur aarti bahar nikal gayi.............sahil par nazar padi aur ek pal ko dono sari duniya bhool gaye...........



Sahil ki nazre us masoom mukhade par ja kar jam si gayi.........


Shadi ke bad pahli bar aarti ko dekh raha tha sahil.................gulabo ke jaisi khili khili rahne wali aarti patjhad ke phool ki jaise murjha gayi thi............kahi se dekhkar nahi lag raha tha ki uski shadi huyi hai......na sindur ,na mangalsootra.......kuchh bhi nahi..............bahut kmajor ho gayi thi wo.........chehra bilkul peela pad gaya tha.......aankhe dhans gayi thi aur unke niche kale dhabbe pad gaye the...........sahil ka kaleja fat raha tha juhi ko is haal me dekhkar.....................na koi shikwa aa raha tha uske dil me na koi sawal...bas ek tadap thi................




“didi ye kaisi ho gayi meri aarti..............aise to nahi chhoda tha maine aapke pas.........yahi khyal rakha aapne meri aarti ka didi......isliye mujhse juda kar diya ise ........”sahil ki aankhe fir barasane lagi.




Didi ki aankhe bhi bheeg gayi, juhi bhi ro rahi thi...........lekin aarti bilkul khamosh thi..................



“sahil aapko yha nahi aana chahiye tha............mummy ko thodi problem thi to mai yha le aayi..........baki sab thik hai......” aarti nishthurata ki moorat bani huyi thi......lekin sahil ko to wo bachapan ki hasti khilkhilati,use tang karti masoom si aarti nazar aa rahi thi.................



“aarti, ye kya haal bana liya apna............”sahil ko uski koi bat buri nahi lag rahi thi..............use bas aarti ki wo bujhi huyi aankhe dikh rahi thi.....jin aankho me kabhi uske liye jeevan ke haseen sapne hote the......sahil ka bas nhi chal raha tha ki wo daud kar aarti ke gale lag jaye............mamooli se suit salwar pahne wo barso ki thaki thaki si lag rahi thi.........aur chehre par sahil ke liye narazagi .....ya shayad naraz dikhane ki ek nakam kosis.





“mai thik hu.........aur agar aap chale jayenge to aur bhi achchhi ho jaungi.........”aarti ka har sabd sahil ke dil ko cheer dene wala tha ..........lekin aaj sahil ko fark nhi pad raha tha............use bas ek bat ki fikar thi........apni aarti ki.




Sahil kuchh nhi bol raha tha bas chupchap use dekh raha tha...............fir wo achanak se chalkar uske pas pahuch gaya..................aur usko jor se apne seene se laga liya..................



“aarti, sab thik ho jayega....mai aagya hu na........ab m sab thik kar dunga........mujhe maaf kar do .....tumhe chhoda ke chala gya na ....isiliye ye haal bana liya hai na...............ab nahi jaunga....chahe tum kitna bhi bhagao..........mai nahi jaunga.............sab thik ho jayegi aarti..............sab” sahil ro raha tha aur pyar se aarti ke balo me hath pher raha tha............didi aur juhi ke bhi aansu bah rahe the.



Lekin aarti abhi ek patthar ki moorat bani huyi thi.




“chale jaiye aap....plsssss........jaiye.........i hate u...........bahut nafarat karti hu mai aapse.......jaiye nahi to mera mara muh dekhenge aap.....” aarti cheekh padi.



Sahil ek dam jhat se us se alaga ho gya..............ye kya kah rahi thi aarti...........sahil ki aankho ke aage jaise andhera sa chha gya................ “mera mara muh dekhenge aap” aarti ke ye sabd uske dil ko kirchi kirchi bikher gaye............jiski khusi ke siwa aaj tak usne kuchh chaha hi nahi, aaj usne kaha tha use jane ko...........




“nahi aartiiiiiiiiiiii....pls......mai ja rha hu .........kabhi nahi aaunga.......kabhi bhi nahi....tum kabhi dubara ye mat kahana.....kabhi bhi mat kahana.........aarti shayad tum sab bhool gayi lekin mujhe mere bachpan ki wo gudiya aaj bhi yad hai aarti.............aur mai apni gudiya se aaj bhi utna hi pyar karta hu...........aisa fir kabhi mat kahana......jaa rha hu mai..............jaa rha hu aarti....is bar nhi aaunga.........khus rahna...” sahil ne apne aansu ponchhe aur teji se bahar ki or badha .


“sahillllll...”didi ne aawaz lagayi.”


“mummy meri kasam plssss......” aarti jaldi se chikhi.......



Sahil ek pal ko thithka ,juhi bhi ruk gayi..............pichhe muda ......poora chehra aansuo se bhiga hua tha..............


“ GOOD BYE AARTI ” bas itna hi kaha aur wapas muda.......kuchh kadam chala tha ki dhadam ki aawaz par wapas muda.............aarti farsh par giri huyi thi aur uski naak se khoon nikal raha tha.



“AARTIIIIIIIIIIIII”” sahil ki cheekh se jarra jarra kaanp gaya tha us fiza ka............



Wo paglo ki tarah aarti ki or badha aur use apn baho me utha liya..................



“aankhe kholo aarti..............mai chala jaunga...........hmesa ke liye ............sach kah raha hu...........tumhari kasam aarti apni shakl bhi nahi dikhaunga........bas aankhe kholo..........aise to mat rutho yar.......pls...............doctorrrrrr.............” sahil uske galo ko thapthapata raha aur fir god me uthaye ward ki or bhagne laga .......


*************************************************************************************

Aarti admit thi ........behosh thi..........aur sahil ka chehra safed ho gya tha............usne ek chuupi sadh li thi kisi se kuchh nhi bol raha tha.............


Jeeja bhi aa gaye the............juhi aur jeeja aarti ke pas the aur sahil chuchap didi ke pas chala gya jo usi cottage me mandir ke samne baithi ro rahi thi.....................


Rat ke 9.00 baj rahe the...............



Sahil jakar didi ke samne khada ho gya...............didi ne use dekha to apne aansu ponchhe aur wo bhi khadi ho gayi...............sahil ki aankho me ek sawal tha.............aur us sawal se didi ko dar lag raha tha.............



Sahil ne apne back se pistol nikali aur apne sar par laga li....................


“sahil ye kya kar rha hai..........pls....nahi beta.......plss...ise rakh de.......sahil plss..........” didi ek dam sann rah gayi............



“bataiye mujhe sab sach sach..........aap sabne mujh se hamesa jhooth bola hai...........lekin agar aaj mujhe ek bhi bat jhoothi lagi to mai khud ko shoot kar lunga.............mummy ki kasam hai mujhe.” Sahil bahut thahar thahar kar bol raha tha....bahut dard tha uski aawaz me.


“mai sab sach bataungi...........plss ise dur rakh de..........plsss beta................aarti ki kasam sahil plsssssssssssss................mai sab sach bataungi...................” didi gidgida rahi thi....sahil ne pistol door phenk di aur didi ki or dekhne laga.........



“sahil itani himmat nahi hai mere andar..........aa mere sath...............”didi bilakh bilakh kar ro rhi thi aur room me rakhe ek suitcase ko khola ........usme dher sare papers the......didi ne ek 3-4 pages ki file nikali aur sahil ko pakda di..................




Didi buri tarah ro rahi thi .......sahil ke hath kaanp rahe the......usne patthar ka kaleja karke file ka cover palat diya.............




FRONT PAGE----

PATIENT NAME - AARTI SINGH.
DISORDER- LEUKAEMIA (BLOOD CANCER)
DIAGNOSIS DATE- 20/0*/20**


Date wise lagbhag 6-7 sal pahle se...................sahil ke hath se file gir gayi ,uski aankho ke samne andhera chha gaya ,use jor ka chakkar aaya aur wo wahi dhadam se farsh par gir gaya aur behsoh ho gya.



Didi jor se chillayi.........”sahilllllllllllll”




Aaj aur kuchh nhi kah paunga dosto......... SORRY. 










(dosto aarti ko bimari bahut pahle se thi uske symptoms bhi the lekin is story me maine mention nhi kiye nahi to story behad predictable ho jati............jaise jab sahil ke accident ke bad wo aati hai to bhi kayi sari prblms face karti hai lekin chunki ye sab sahil se chhupaya gya tha to mai wo mention nhi kar sakta tha......baki sare sawalo ke zawab kal khud aarti degi ... bas aub door hai ye dard apne anjaam se ......... )




Sahil ko hosh aa chuka tha jabki aarti abhi bhi behosh thi......aarti hospital me thi ........sahil didi ke sath whi bahar gumsum sa baitha tha..............kuchh bhi nahi bol raha tha..............



Didi ne pyar se uske kandhe par hath rakh diya..............





“sahil tumhe kuchh batana hai........mai is sthiti me to nahi hu lekin agar aaj nhi bata payi to shayad kabhi nhi bata paungi...........tumhara ye jan na bahut jaroori hai..............” didi ke aankhe bhari thi aur wo dheere dheere bol rahi thi.....jeeja kahi gaye the aur juhi cottage me thi...........





“sahil yad hai jab tum apne interview ke bad ghar gaye the.............uske dusre teesre din hi dheeraj aur varsha wala case hua ......tumhare jeeja bahut gusse me the aur unhone ne bahut kuchh kaha dheeraj ko bhi aur tumhe bhi........us din aarti poori rat roti rahi ......dusre din bhi usne kuchh nhi khaya aur apni papa se bat bhi nahi kar rhi thi........usi din tumhara call aaya aur usne tumse thik se bat nhi ki.......gussa to wo kisi aur parr thi....lekin jaisa ki hamesa hota aaya tha, nikla ek bar fir se wo tum par.................





“Uske kuchh do din bad aarti achanak behosh ho gyi aur uski nak se blood aane laga.....hm use hospital lekar gaye..................hme laga ki use koi chhoti moti problem hogi lekin use...............”didi itna kahkar rone lagi.........sahil chuchap unki or dekh raha tha................





“hamne aarti ko har jagah dikhaya ...AIIMS ke chief doctor ne bhi dekha lekin sabka yhi kahna tha ki iska koi ilaaz nhi hai..........aarti se hmne chhupana chaha lekin jane kaise wo jaan gayi..............aur fir ek din wo rat me mere kamre me aayi..................”





Didi batate huye ateet ki dhundhali yado me kho gayi..............





“mummy ,aap soye nahi........”aarti ne room me aakar didi ko pichhe se gale lagate huye kaha....





“haan beta wo neend nahi aa rhi.......aa baith “ ...didi aarti ko lekar apne bed par baith gayi.




Aarti ne didi ke god me sar rakh liya.....didi dheere dheere uska sar sahlane lagi ....anayas hi unki aankhe bhar aayi...................




“mummy ,” aarti ki aawaz me bahut dard tha.





“haan meri jaan”didi lakh kosis ke bad bhi apne aansu na rok saki.




“mai marne wali hu na mummy............” aarti ne bahut mayoosi se kaha, didi ka kaleja fat gya uski bat par.





“nhi meri jannnnnnnnnnn......kuchh nhi hoga tujhe meri bachchi........tu bilkul thik ho jayegi...bilkul thik....aisa kabhi mat kahna .....mummy kaise jiyengi tujhe kuchh ho gaya to .....haan???” didi ne jor se use apne seene se laga liya aur foot footkar rone lagi.




“mummy kuchh kahna hai aapse.............”




“haan bol na meri jaan”


“mummy mai kisi se pyar karti hun...” aarti ka chehra bilkul shant tha.



Didi ek pal ko chakit ho gayi,



“kis se “ didi ne kaha


“sahil se” aarti ne bade garv se kaha.




“kaun sahil.........kahi apna sahillllll to...........” didi ko is bat ka gumaan to pahle se hi tha ,bas aaj us bat ki pushti ho rahi thi.





“haa mummy,mere sahil se, aapke sahil se..........mujhe pata hai ye sahi nahi hai..........lekin ho gaya mummy.....maaf kar dijiye.........” aarti ki aankhe bhar aayi.





Didi is samay use kya samjhati....chup rahi...........aur use ek bar fir gale se laga liya..............





“sahil hai pyar karne ke layak , mujhe naaj hai teri pasand par.......lekin beta duniya samaj ........aur fir tere papa........... aur kya sahil bhi...” didi ne dil ki bat kahi.





“haan mummy sahil bhi mujhe se beintaha pyar karte hain.......lekin iski shuruwat maine ki thi....sahil ko maine propose kiya tha...............sahil ki koi galti nhi hai mummy..........” aarti aaj bhi apne sahil ko bacha rhi thi.




“galti to teri bhi nhi hai meri jaan.............”mummy bas itna hi bol payi.




“mummy kitna waqt hai mere pas............”aarti ka sara dard uski un jheel si kali aankho me utar aaya tha................aur didi se wo dard bardasht nhi ho raha tha............





“ kaisi baten kar rahi hai aarti......tu thik ho jayegi beta......bilkul thik....aur fir mai tujhe tere sahil se mila dungi........chahe duniya kuchh bhi kahe.......aur agar koi nahi mana to mai tum dono ko yha se door bhej dungi........mera yakeen kar................” didi apne lado ke laad me bole ja rahi thi...........jabki unhe achchhi tarah se pata tha ki aarti ab kabhi bhi normal life nhi jee payegi.





“plss mummy sach bataiye na........mujhe sab pata hai mom...........kitna waqt hai mere pas............aapko meri kasam ............bahut jaroori hai ye jan na mere liye .................pls.........”




Didi rone lagi aarti ki bat sunkar......aur rote rote hi kaha.........




“doctor ne kaha hai ek do sal ya fir maximum 5-6 sal ...severety par depend karta hai.....meri jaan tujhe kuchh nhi hoga.........mujhse kabhi mat puchhna ab..........tu thik ho jayegi beta.........sabkuchh doctor hi to nhi hote..............bhagwan bhi to hota hai na kuchh..............dekhna tu thik ho jayegi.............” didi ki aankhe baras rahi thi aur unhone aarti ko gale se lagaye huye uske gal choom liye.





“haan mummy mai thik ho jaungi...........mummy aapse kuchh mangu.............” aarti boli.




“kya beta???? ...mummy se mangne ke liye ijajat mangte hain koi........” did boli.






“mummy, sahil ko ye bat kabhi pata nhi chalni chahiye................plss...aapko meri kasam .........meri aakhiri tamnna samjh lijiye ise...........wo bardasht nhi kar payenge...........bahut jyada chahte hain sahil mujhe...........un aankho ke sapne tut jayenge...........mujhe bahut dard ho raha hai mummy.....maine apne sahil se bewafai kar di............mai “ BEWAFA “ ho gayi mummy.........mai bahut buri hu..........mera sahil bahut masoom hai......kaise bardasht karenge wo.........mujhe jeena hai mummy ...........mai marna nahi chahti............mujhe bacha lijiye maa....pls...........boliye na apne bhagwan se.......plss mummy bacha lijiye apni aarti ko...........” pahli bar aarti tutkar royi thi apni maa ki bahon me.......did bhi buri tarah se ro rahi thi , kitna majboor kar diya tha kissmat ne aaj us maa ko.






Didi bata rahi thi aur sahil patthar ki moorat bane sun raha tha.........didi ro rahi thi lekin wo chup tha.........





“sahil uske bad aarti ne jo kuchh kiya wo sirf ek natak tha ....wo tumhe khud se door karna chahti thi..........wo shadi ka card jo dekh kar tumne suicide attempt kiya ,aur fir wo jhoothi shadi........jo kabhi huyi hi nahi.”






“jante ho ,jis din maine tumhe phone kiya ki aarti ki shadi tay ho gayi hai aur tumhe aana hai us din aarti mere bagal me baithi thi ....us samay juhi tumhare pas pahuchi hogi aur usne tumhe yha shadi me aane se mna kiya hoga........kyuki aarti ne use wha bheja tha........ ...use dar tha ki tum fir se aisa kuchh na kro .....lekin juhi ko wajah nhi pata thi ....use bas ye pata tha ki aarti ki shadi ho rahi hai ...........aur tumhe sambhalane ke liye use bhej rahi hai aarti.”





har bat par sahil ka dil ro raha tha ...........kya kay nahi kiya tha aarti ne uske liye aur kya kya nahi saha tha us masoom ne.





“sahil shayad tumhe pata nhi hoga..........jab tum yha se gaye to aarti saye ki tarah tumhare pichhe thi ....tumhara jis institute me hua tha wha tumhara resume aarti ne send kiya tha.......wo uske kisi dost ke uncle the jo wha ke director the..............usne tumhe akela nhi chhoda tha sahil kabhi bhi............lekin uske bad aarti ki tabiyat jyada kharab ho gayi aur wo shimla chali gayi....wha se usne MBBS bhi kiya aur jeevan-vatika me uska ilaaj bhi hota raha.......”





Didi yad karke ek ek bat sahil ko bata rahi thi ...jaise ki apni beti ka case lad rahi ho....au dar ho ki kahi wo case haar na jayen.........






“yad hai jis din tum hame mall me mile the , jab ham kapde aur lahnga kharid rahe the ............sahil wo aarti nahi kharid rahi thi ................uski ek dost ki shadi thi jo us samay sath hi thi................. aarti kahi bahar nhi aati jati thi isliye us din ham sab use jabdasti bahar le gaye the ...aur wha tum aur juhi mil gaye...........”





“sahil aarti bahut ghut ghut ki jee hai ye 6 sal ....ek ek bat mujhse kahti thi aur har rat sone se pahle tumse maafi mangti hai ...aaj bhi ..........”






Didi sab kuchh bata kar chup ho gayi thi...........itane me jeeja bhi aa gaye.........wo bhi wahi aakar baith gaye aur sahil ki or dekhne lage.




Sahil ki or dekhte dekhte achanak foor foot kar rone lage............





“meri aarti ko bacha lo sahil........plss....tumne to use har mushkil se nikala hai.......har kadam par uska saaya bane rahe ..........aaj ek aakhiri bar........pls............apni muhabbat ko bacha lo sahil...............plssssss............mai har gunaah ki maafi mangta hu.............bas use bacha lo..............kuchh bhi kar ke............” jeeje jaise majboot insaan ko is kadar toot kar rote dekh sahil ka dil bhi dahal gaya.......dil to pahle se hi tar tar ho chukka tha............ unki baton se saf lag raha tha ki unhe bhi sab pata hai dono ki muhabbat ke bare me.......





Wah ri muhabbat ! wah ri kismat! Aaj jab sabne unka pyar sweekar kar liya tha to unka pyar chand sanso ka mohtaj ho gaya tha






“sahil doctor ne kaha hai ki bas kuchh din bache hai meri beti ke pas...........plsss..sahil .......bacha lo apni aarti ko ...bacha lo..........” jeeja sahil ka hath apni aankho se laga kar ro rahe the.




Piche aakar khadi juhi dhamm se farsh par gir gayi.......uske pair kaanp rahe the ye sab sunkar ......use ab pata chal tha ki aarti itnai jyada bimar hai...........sahil ne fauran use uthakar apne pas bitha liya aur uska sar apne kandhe par rakh liya.............




Juhi sooni sooni aankho se sabki or dekh rahi thi.............





“ Mai dua karoongi ki tumhe muhabbat ki ek boond bhi naseeb na ho............” aarti ko usne yahi baddua di thi ...................aur aaj uski baddua use ek gali lag rahi thi khud ke liye...........





Juhi chuchap baithi rahi.............use khud se nafarat ho rahi thi......kya nahi kaha tha usne aarti ko ........kitna bar beafwa kahkar gali di thi .....ek ek khusi ke liye tarasane ki baddua di thi .....aur aaj uski har bat uske kaleje ko chher rahi thi .





juhi ne jo kuchh kiya halat ne karwaya tha us se ..........uska koi, koi dosh nhi tha lekin wo fir bhi khud ko gunahgar maan baithi thi.......uski aankho me ek kabhi na jane wali virani dikh rahi thi..........aansu nahi the.....................kyuki jo dard is samay uske seene me uth raha tha use bayaan kar pana aansuo ke bas me nahi tha.........




“juhi plss sambhalo khud ko beta........” didi ne uske sar par hath phera aur juhi unke gale lag kar rone lagi...........





“I m sorry didi, mai bahut buri hu...........maaf kar dijiye.............” sahil chup tha ....kuchh nhi kah raha tha......tabhi ward boy ne aakar kaha..........






“patient ko hosh aa gya...........aap chahe to mil sakte hai” sab ek sath uthe aur ward ki ro chal diye......bas sahil pichhe rah gya..........aur uske sath the jeeja................






“sahil doctor ne kaha hai aarti ke pass bas kuchh din hain.............plsss use bacha lo sahil.....meri beti ko bacha lo..............” jeeja aaj bahut dard me the ..............beti ki muhabbat ne unhe sab kuchh bhoola diya tha....duniya-samaj ,parmapara-maryada.....kuchh bhi yad nhi tha........bas aaj unhe unki beti yad thi.





“use kuchh nhi hoga.........mai jane nahi dunga use .....chahe kuchh bhi ho jaye......” sahil ki aawaz me ek majbooti thi ,ek sakhti thi aur ek jid thi.





Sab log aarti ke pas the.....rohan bhi aa gya tha..........bas juhi andar nhi gayi thi ...uski himmat nhi ho rahi thi aarti ko face kar pane ki .............sahil chuchap ek kone me khada tha.........aarti leti huyi mummy papa se kuchh kuchh bol rahi thi aur kabhi kabhi halke se has deti.......lekin uski nazre sahil par tiki huyi thi.................






Sahil bhi uski or dekh raha tha.....sari duniya se naraz-naraz sahil aarti ko bahut pyara lag raha tha..........ek tees uth rahi thi uske dil me.............kash wo sahil ko mana leti........us chhote se bachche ke jaise naraz tha wo jiska koi pasndida khilona chhin gya tha us se........sahil ke chehre par saadiyon ki udasi thi lekin un aankho me ek jid thi .........





wo aankhe bol rahi thi--

“aaj sari duniya se takaraa jaunga ,lekin tujhe jane nahi dunga.”





Aaj kismat ka takraw hona tha muhabbat se,aur unki muhabbat ke liye shayad qayamat ka din aa gya tha.





Sahil chuchap kone me khada aarti ki or chor nazro se dekh raha tha.....mano us se sadiyon se naraz ho aur us se kah raha ho ki mana lo mujhe nhi to fir kabhi nhi milunga..........aarti bat to mummy papa se kar rahi thi lekin nazren uski sahil par bar bar ja rahi thi.................



Dheere dheere sab log bahar chale gaye aur sahil aur aarti room me rah gaye..............aarti ne ishare se sahil ko apne pas bulaya.............




Sahil chalta hua uske bed ke pas pahucha aur chupchap uske karib baith gya........bahut jyada narazgi thi uske chehre par..............




“sahil” uffffffffffffff! Itana pyar tha us sahil lafz me ............sahil ke andar ki sari narazagi hawa ho gayi.......wo chuchap uski aankho me dekhta raha................



“naraz ho mujh se..............”aarti ne apna ek hath badhakar uske gaal par rakhte huye kaha.




Sahil kitna bardasht karta...............tut gaya..........




Jor se aarti ko gale laga liya...............





“koi kuchh bhi kahe mai tumhe kuchh nahi hone dunga..........kuchh bhi nahi.....tum meri ho.....meri gudiya ho tum....koi kaise le sakta hai tumhari zindagi ke faisle ............sirf mujhe hai ye haq......sirf mujhe.” Sahil ka har lafz sukoon pahucha raha tha aarti ko.




“uffff.............muhabbat ka ye kaun sa rang hai sahil jo itana gahra hai........kya kya nahi kiya maine is rang ko chhudane ke liye , lekin ye rang chhutta kyu nahi sahil........ Kyu itana chahte ho mujhe ....kyu...........” aarti aaj wo sawal puchh rahi thi jo pichhle 6 salo se uske dil me uth raha tha.....aur sahil ne jawab me wo sawal puchha jo uske dil me bhi pichhle 6 sal se tha..............






“kisne de diya tumhe ye haq aarti????????....kisne diya ye hak ki mere pyar ka rang chhudawo tum...............kya khata hai meri........ye ki mai deewano ki tarah tumhe chahta hu ya fir ye ki maine bachpan se lekar aaj tak sirf tumhari khusi chahi.............bolo aarti..........kya muhabbat karte samya ye wada liya tha maine ki jab tak tum aisi hi rahogi tab tak hi muhabbat karunga.............kya meri muhabbat bas achchhe dino ke liye thi............kya meri muhabbat par yakeen nahi tha tumhe ??? ......bolo.......kya tum me koi kami aayi, tumhari muhabbat me koi kami aayi.............. muhabbat to tab kamjor ho jati jab in aankho me kisi aur ka aksh nazar aa jata...........lekin in me to aaj bhi meri muhabbat aabad hai.........fir kyu mujhe khud se door kiya...........kyu di mujhe ye saja.......jo bhi hota uska samnaa hum sath sath karte ..........apni muhabbat ki taakat se us se ladte............lekin tumne to mujhe itana haq bhi nahi diya...........ye galat kiy aarti......ye galat kiya.” sahil kahte kahte rone laga..






“nahi jaan .............plss..........aapki aarti itani samjhdar nahi thi..........usne to aapko is dard se bachana chaha...........ek nakam si kosis ki...........bhool gayi ki aarti ki rooh to sahil se judi hai fir kaise us se kuchh chhupa sakti hai...........sahil maf kar do apni aarti ko ........mere antim palo ki khatir please.................”aarti bhi rone lagi.





“nahi aarti, ye kabhi mat kahna............tumhare antim pal mai aane nahi dunga........aarti chahe kuchh bhi ho jaye, mai tumhe kuchh nahi hone dunga............kuchh bhi nahi....” sahil aur aarti aaj barso bad ekdusre ke seene se lage huye ,ek dusre ki rooh ko sukoon pahucha rahe the......aarti ko aaj bhi sahil ki masoomiyat par pyar aa raha tha............kismat se ladane chala tha uska sahil.





Aarti ko wapas cottage me laya ja chuka tha.........wo normal to nahi thi lekin fir bhi wo apna jyadatar samay hospital ki Kothari se bahar apno ke bich bitana chahati thi..............shayad use ahsaas tha ki uske pas kuchh pal hi bachen hain aur har ek pal me wo ek zindagi jeena chahati thi............




sahil ka dil tadap raha tha lekin kuchh kar nahi paa raha tha ....usne abhi tak ek sakhti ka mukhouta pahan rakha tha jo sirf ek hi aawaz bol raha tha.........




“ chahe kuchh bhi ho jaye ,mai use jane nahi dunga”





Uska dil dimag par bahut jyada hawi ho gya tha....aur wo kuchh sochane samjhane ki halat me nahi tha........sab log sahil ki is halat se wakif the lekin koi kuchh bol nahi raha tha..........sahil ki deewanagai pagalpan ka roop le rahi thi...........





Aur ek thi juhi ! mason juhi ! kya nahi kiya usne sahil ke liye........apna sabkuchh ,sabkuchh uske nam kar diya..........aur aaj bhi uski muhabbat me uske sath yha tak aa gayi thi........lekin aaj sahil ki halat dekhkar use dukh ho raha tha.............koi nahi ye soch raha tha ki juhi kaun hai , kya hai...........kitna kuchh kurban kiya hai usne sahil ke liye............aur wo masoom bhi khud ko gunahgaar man baithi thi.............use ab ye bhi lagne laga tha ki wo sahil aur aarti ke bich aa gyi............ye bhool gayi thi wo pari ki agar wo na hoti to aaj sahil bhi na hota.............






Juhi chup chup si ,khoyi khoyi si idhar udhar rahti.......na sahil ke samne jyada jati na aarti ke samne..............sabse badi saja de rahi thi wo khud ko....jabki uske hisse me koi jurm to tha hi nahi.........usne to bas muhabbat ki thi ............sahil se............aur aaj sahil bhi shayad use bhool gaya tha..........lekin koi aisa tha jise juhi nahi bhool thi, jise ahsaas tha ki juhi kaun hai, jise ahsaas th ki aaj sahil hai , kyuki uske sath kal juhi thi........aur wo thi aarti.aarti ko juhi ka yu gumsum aur us se door door rahna bahut khal raha tha..........





6 din beet gaye , sahil ne apna poora dam laga diya is bich aarti ka ilaaz karwane me..........3 foreign doctor aaye .......lekin sab ki report yahi thi ki is type wale blood cancer aaj ki advanced medical science me bhi la-ilaaz hai.................kuchh nahi kiya ja sakta tha...........kisi ne ye ummeed bhi nahi dilayi ki kahi foreign le jaye to kuchh ho sakta hai..........lekin ye baten aarti se chhupayi ja rahi thi.........





( friends blood cancer 3 type ka hota hai, first 2 ka kuchh had tak ilaaj sambhav hai lekin leukaemia ka nahi )






sahil ka dil buri tarah se toot chuka tha lekin abhi bhi usne ek jhoothi aas ka daman tham rakha tha .......is sach ko wo kabhi accept kar hi nahi sakata tha ...........kyuki ye sach ek bahut bhayanak sach tha ......itna bhayanak ki sahil sochta bhi nahi tha uske bare me..........chehre ki sakhti dil ke jakhmo par parda dale huye thi.........lekin ye sakhti jaan lewa hoti ja rahi thi...............aur iska ahsaas sabko ho raha tha......sirf sahil ko nahi..........is sakhti ka tootna bahut jaroori ho gya tha.





Gaon se renu rahul , sahil ke mummy papa ......sab log aa chuke the..


Shayad jeeja ne bulaya tha.......unke hatho se ab umeed ka daman chhut raha tha .




Aaj subah se hi aarti bahut khus thi..............usne aaj juhi ko bulawaya tha mummy se kahkar.................




Juhi chuchap ek mujarim ki tarah uske pass jakar khadi ho gayi...........usne nazre jhuka rakhi thi......mano kah rahi ho bahut sharminda hu mai.....room me aur koi nahi tha.aarti ne us se akele milna chaha tha.




“juhi pass aao na............”aarti bade pyar se boli.



Juhi jakar uske pas baith gayi............aarti leti huyi thi.



“juhi ,kitna pyar karti ho sahil se” aarti ne puchha.



“pta nahi, par aapke jitna to nahi..........mujhe maaf kar dijiye .......please” juhi khud ko doshi maan rahi thi aur aarti ki halat use aur rula rahi thi.




“juhi , tumhari jaisi muhabbat to koi kar hi nahi sakta .........mujhe pata hai mere pas waqt jyada nahi hai.........suno......” juhi ne aarti ke muh par hath rakh diya.



“nhi,plss aisa mat kahe....aapko kuchh nahi hoga..........”




“kah lene do juhi .........bahut jaroori hai ye kahna............sahil meri aatma se jude hain ..........wo chah kar bhi khud ko mujhse alag nahi kar paye.............aur na mai unhe khud se door kar payi...........hamari muhabbat hmare har faisle par bhari padi........hum kuchh nahi kar paye...majboor ho gaye.”





“lekin juhi tumhari muhabbat............mai apne sahil ki kasam khati hu, bahut mahaan lagti ho tum mujhe................agr zindagi ne sath diya hota to hum dono ek sath bahan bankar rahte ...........sahil par tumhara mujhse jyada hak hai juhi.....bahut jyada..........janti ho jab mai sahil ko dusri bar mili to mai unke samne khus rahti lekin akele me roti thi.......har pal yahi sochti kya hoga sahil ka mere bad...........lekin fir rab jee ne tumhe bhej diya........jis din mai tumse mili aur tumhari tadap dekhi usi din dil ko sukoon aa gya.....haan juhi, mujhe tum mil gayi ,jo mere sahil ko tutne se bacha legi.........ab mai sukoon se mar sakti hu.................”





Aarti bol rahi thi aur uska dil baith raha tha........juhi chupchap sun rahi thi aur aansu uske gallon ko bhiga rahe the....................






“juhi tumne mere sahil ko nayi zindagi di..........ye mat sochana ki sahil ki muhabbat koi khairat hai.............sahil ki muhabbat tumhara haq hai............tum se jyada muhabbat use koi kar hi nahi sakata............juhi mere bad mere sahil ko sambhal lena...........please........use kabhi rone mat dena..........bahut bhola hai wo juhi........tum to janti ho na............bas use ahsaas dila dena ki juhi uski aarti hi hai...............juhi tum ho ,ab mai sukoon se mar sakungi......thank u juhi.........agle janam me bahan banungi tumhari.........” aarti itna kahte kahte rone lagi aur juhi ko gale se laga liya...........juhi bhi bilakh bilakh kar ro rahi thi..................





Aarti aur juhi ek dusre se lage roti rahi ...aaj dono ke dilo me ek dusre ke liye maan tha, ijjat thi aur ek dusre ki muhabbat ki shiddat ke liye nadamat thi.




Sab log aarti ke room me the ...wo sab se baten kar rhi thi .........sab ki aankhe nam thi............bas ek sahil tha jo ek dam shant tha......mano kuchh hua hi na ho..........
 
Newbie
25
25
3
:heart: :heart: LAST UPDATE- :heart: :heart:


Aarti sabse mil rahi thi...........jaane kya ahsaas hua tha use..............




Sab log whi room me hi the jab sahil chuchap aaya aur ek kone me khada ho gya...................




“mummy ......”aarti ne maa ki ro dekhte huye bas itna hi kaha aur mummy sabko lekar bahar chali gayi..........kisi ke pas koi sawal nahi tha aur aarti aur sahil ko ab koi fark bhi nahi panda tha ....




Sahil aur aarti rah gaye the room me ...................



Sahil chupchap jakar aarti ke pas baith gya ...........aur uska hath apne hatho me le liya...............




Sahil ne apne jeb se ek chhot sa packet nikala........usme chudiyaan thi..............ek ek karke usne aarti ke dono hatho me wo hari hari chudiyaan pahna di aur uske hath ko choom liya...........aarti kea ankh se ek aansu nikal gya jise usne jaldi se saf kar liya................





“bahut pyari lag rahi hain,,,,hai naa???” sahil ke chehre par bachcho jaisi khusi thi, lekin dil ke andar ek jwalamukhi dhadhak rahi thi.




Aarti kuchh nahi boli................





“kya hua jaan......achchhi nahi lagi...........” sahil ne ek bar fir badi masoomiyat se puchha.




Aarti ko uski halat se dar lagne laga tha....................



“sahil,mujhe maaf karna jaan..............” aarti ki aankhe dabdaba aayi...........


“are tum ro kyu rahi ho.............oh...in sab logo ki baten sun kar.....pagal hain sab ....kuchh nahi hoga tumhe...........mai thodi na tumhe kuchh hone dunga..............aarti chahe
kuchh bhi ho jaye, mai apni gudiya ko kuchh nahi hone dunga........”sahil abhi bhi zid par ada tha ....khud ko juhthi tassalli de raha tha............




“sahil mujhe dar lag raha hai..........”aarti ke ye sabd sahil ke dilo dimag ko jhakjhor gaye the..........uski upar ki sakhti tutne lagi thi.............





“aarti mai pass hu tumhare fir kis bat ka dar.......... daro mat .....mai hu jaan..........aarti kuchh gao aaj mere liye .......please ....bahut waqt ho gya tumhare geet sune...........gao na kuchh...........” sahil ne aarti ka man bahlane ke liye kaha tha........lekin aarti ne sach me gaya...............apne dil ke dard ko sangeet ki jubaan de di..............




Ek nazar sahil pa dali ,uska hath apne hatho me liya.........aur uski aankho me dekhte huye gane lagi....................






tera mera pyaar amar.....
hai shabaab par umang,
har khushee javaan hai meree donon baahon mein,
jaise aasmaan hai chalatee hoon main taaron par,
phir kyon mujhako lagata hai dar
teramera pyaar amar.......

tera mera pyaar amar,
phir kyon mujhako lagata hai dar,
mere jeevan saathee bata,
kyon dil dhadake rah-rah kar kya kaha hai chaand ne,
jisako sunake chaandanee har lahar pe jhoomake,
kyon ye naachane lagee chaahat ka hai harasoo asar,
phir kyon mujhako lagata hai dar tera mera pyaar amar....
kah raha hai mera dil,
ab ye raat na dhale khushiyon ka ye silasila,
aise hee chala chale tujhako dekhoon, dekhoon jidhar,
phir kyon mujhako lagata hai dar tera mera pyaar amar.....
hai shabaab par umang,
har khushee javaan hai meree donon baahon mein,
jaise aasmaan hai
tera mera pyaar amar.....
hai shabaab par umang,
har khushee javaan hai meree donon baahon mein,
jaise aasmaan hai chalatee hoon main taaron par,
phir kyon mujhako lagata hai dar tera mera pyaar amar.......




Sahil aarti ke aawaj ko apne dil ki gahrayi me mahsoos kar rha tha ....gate gate aarti ki aankho se aansu bahane lage .........usne jor se sahil ka hath daba diya aur jor jor se saanse lene lagi........




Sahil ek tak uski or dekhta raha aur fir jor se chillaya.................”aartiiii”




Sab log bhag kar room me aa chuke the...............aarti ko turant ICU me le jaya gya..........uski saanse ukhad rahi thi ..................lekin koi fayda nahi tha.............kuchh
ghanton bad hi doctor ne jawab de diya............aarti ke pas sab log the .......sab ro rahe the .......aur sabse buri tarah se tadap rahi thi uski mummy............ek taraf mummy aur dusri taraf sahil............sahil ki aankhe ek dam laal ho gayi thi............




“aarti “usne bulaya.........aarti chuchap sahil ki or dekhne lagi....saanse niyantrit thi uski lekin hath pair thande ho rahe the................






“ye cheating hai aarti............mai har bar tumse haar jata tha kyuki tumse haarne me meri jeet thi ....lekin aaj mat harao mujhe kyuki aaj mai haar gaya to tumhe haar jaunga..........plssss....ek bar to jeet lene do.............plsssssssss.....aarti mai kiske sath un kheton ki pagdandiyon par daudunga....kisko sataunga ....kiske sath nadi ki un kanaron par jaunga...........nahi aarti plsssssssssssss.............aisa mat karo....bas ek bar mujhe jeet jane do......... didi bolo na ise ...dekho hmesa mujhe rulati hai...aisa kya kar diya ki aise dhokha de rahi hai..........mai nahi jane dunga ............nahi jane dunga tumhe..........” sahil jor jor se ro raha tha aur aarti ki aankho se bhi aansu bah rhe the ..................




“aarti , mai kabhi nhi jaunga tumhe chhod kar , tumhe tang bhi nahi karunga.....mai sabkuchh thik kar dunga....bas mujhe chhodkar mat jao plsss.................”sahil ka dil tadap raha tha aur wo aarti ka ek hath pakde cheekh cheekh kar ro rha tha..........





Lekin aarti nishturata ki moorat ban gayi thi..............uski aankho se bhi aansu bah rahe the............lekin aaj wo fir se sahil ko harane wali thi .




Aarti ne mummy ko ishare se kuchh kaha ........mummy ne ek bag me se kuchh nikala aur aarti ke hatho me rakh diya.................





Aarti ne sahil ke hatho me rakh diya.................ek dark red colour ki diary thi ....jiske front page par sunahare sabdon me likha tha.....................







“TUNE MERE JANA, KABHI NAHI JANA”









Aarti ne pas khadi juhi ko ishare se bulaya aur uska hath sahil ke hatho me de diya..............sahil ki or ishara kiya wo uski or jhuk gaya ..............aarti ne pyar se uske mathe ko choom liya...........aur fir apne dono hath jod diye uske samne ..........





Mummy ke samne bhi waise hi hath jode aur papa ke samne bhi.................aur aarti chali gayi apne antim safar par...........b**** ki do ultiyaan huyi aur wo sahil ke hisse me ek aur haar dalkar hamesa hamesa ke liye chali gayi............aaj sahil sach much haar gya tha........ek aisi haar jiska bojh poori zindagi uthana tha use.






Sahil juhi ka hath pakde pakde hi cheekh utha ............aur behosh hokar juhi ki bahon me gir gaya................





Sab log cheekh rahe the....................sab tadap rahe the...........lekin sahil ki tadap ko samjhane wali use tadapta chhodakr chali gayi thi.







Sahil behoshi ke aalam me apni aarti ke sath gaon ke rang birange kheto me daud raha tha.... use pakad raha tha us se lad raha tha, use mna raha tha............lekin ab uske ek hath me aarti ki nishani wo diary thi aur dusre me uski pari ka meharbaan hath, jisme aaj bhi ek maan tha..............





“mai tumhe tutne nahi dungi sahil”




Jate jate bhi aarti sahil ko akela nahi chhod gayi thi ........uske dono hatho me kuchh dekar gayi thi.




Aur juhi !! uske pas fir se ek tuta hua sahil bacha tha..........fir se use sambhalan tha ...use sawarana tha......... wo ek pari thi, fir se whi farz nibhana tha use.






Muhabbat ki bazi haskar haarne wala sahil,aaj apni zindagi ki sabse badi baji haar gaya tha........lekin fir bhi uske hatho me kuchh aisa de gyi thi thi uski muhabbat jiske bharose ek nayi suruwat honi thi,........par dil ki duniya ka ek kona to hmesa ke liye veeran ho hi gaya tha.....wha ab kabhi khusiyon ka phool nahi khilna tha.





Ek hi daulat bachi thi in sab muhabbat walo ke pas – WAFA KI DAULAT.





Muhabbat ho jaye , to nibha dijiyega dosto.........,sahil aur aarti ki muhabbat ke naam, juhi ki kurabni ke naam , kisi pari ke farz ke nam, kisi aarti ke wafa ke nam aur kisi sahil ki badnaseebi ke nam.



Kash muhabbat ki kismat aashikon ke hath hoti !








THE END



Writer
Aashiq tera....................





***********************************************************************************************************************************************************************************************************************






NOTE--( Friends this story is not 100% true..please read it like any other story !

Maine ye story likhi, ye bahut dardnak hai , mujhe pata hai.lekin iska maksad sirf itna hi hai ki ek sandesh aap sab tk pahuchaya jaye-- muhabbat par yakeen kijiye,lekin kabhi kisi ko muhabbat karne par majboor mat kijiye. pyar nibhate jaiyee, kabhi pane ki kosisi mat kijiye.


muhabbat pane ka nhi nibhane ka naam hai, bas itna hi kahna hai.

thank you .
 

Top