Incest Mai aur Khandan ke Riwaj

A

Avni

suru se hi abhi tak bahut behtarin tarike se story ko pratust kiya hai,
Kayi twists bhi a rahe hai .jab javed pata chalega uske ghar ke log kya khichdi paka rahe hai ,uska rista kiske sath tay karna chah raha hai, uski ammi kyu gusse me thi tab javed ka kaise react karega ?
outstanding nd amazing story...
 
Member
1,234
3,324
143
Update - 3

Mai apne dosto ke sath party karne nikal gaya......inke bare me jab kahani me jarurat hogi tab bataunga. Nani, saad mamu aur badi mami bhi inke sath gaye the. Pata nahi aisa aisa kya kaam aa pada jo ye sab log waha gaye. Mujhe bhi thoda bahut doubt ho raha tha kyonki sab log gaon jate the lekin omar mamu kabhi nahi jate. Par aaj wo bhi gaye hai. Iska matlab koi badi baat hai. Ye sab log 2 car me gaye the. Ek me nana,nani, ammi aur bade mamu the.

"Baba, aap bhi kuch nahi bata rahe aur wo bhi keh rahe hai, gaon chalo wahi baat karenge. Aesa kya kaam hai jo omar bhai ko bhi chalna pad raha hai, ye toh waha kabhi nahi jate " ammi ne nana se pucha aur bade mamu car drive kar rahe the aur nani ammi ke bagal me bethi thi. Ammi ke alawa baki sab ko pata tha ki baat kya hai lekin sab ammi ko batane se katra rahe the..nana ne mamu ki taraf dekha to unhone na me gardan hilai.....ammi ne ye dekh liya lekin wo kuch nahi boli aur chupchap seat pe sar tika liya aur bahar ki taraf dekhne lagi.....

" Zini, tu kab se itni utawali hone lag gayi, jo bhi baat hai waha chal rahe hai na" ammi ne nani ki baat ka koi jawab nahi aur aankhe band kar ke let gayi. Subah se unka dil ghabra raha tha. 1 ghante baad wo log gaon pahunch gaye. Mere dada ka pura khandan wahi mojud tha. Dada bahut khush the ki nana unki baat maan kar waha aaye. Dada ne gaon me bahut badi haweli banwayi thi.

Aadmi log alag kamre me baith gaye aur auraten andar chali gayi. In sab ka aapas me milna milana hua aur phir baten shuru hui.
Mehaman kamre me ek sofe par dada aur nana baithe the. Abbu , omar mamu aur saad mamu ek taraf. Mere papa ke pancho bhai, unke chacha, do ladke wahi baithe the.....
" Tumhe to pata hi hai khalid, meri majboori nahi hoti toh mai ye baat tumse kabhi nahi kahta aur zeenat beti ko bhi keval tumhi mana sakte ho " dada ne nana ka hath apne hath me lekar kaha....
" Mazhar mai tumhari baat samajhta hu lekin tum bhi samjho hamari mushkil, Javed ke liye wo kabhi nahi manegi, wo uske zigar ka tukda hai. Tumne kisi aur ke liye kaha hota toh mai ek baar use mana bhi leta magar ye baat us se bolne ki himmat mujh me nahi hai" nana hath jodkar dada mafi mangni chahi toh unhone mana kar diya ki aisa na kare....
Ab aap soch rahe honge ki ye chal kya raha hai toh chalte hai ek saal pehle,
Abbu ke khandan ka riwaj jisme shadi pariwar me hi hoti hai, wo abhi tak chal raha hai. Lekin ab mushkil ye thi pariwar me itna bada ladka hi nahi tha jo Rubina se shadi kar sake. Rashid bada tha lekin wo uska saga bhai tha toh ye mumkin nahi tha. Rubina sab bhai behano me sab se badi thi aur abhi tak uski hi shadi nahi hui thi. Pura khandan pareshan tha ki kya kare. Pichle saal dada aur sajid taya ne abbu ko unse meri shadi Rubina se karne ko kaha. Lekin us waqt papa ne mana kar diya. Lekin dada aur dadi ne unke khub manaya toh wo maan gaye lekin unko pata tha ammi iss baat ke liye kabhi raji nahi hogi. Aur agar galti se bhi unhone ye baat ammi se kahi toh wo unhe ghar se bahar nikal degi...
Abbu ne unhe samjhaya ki bahar kisi achhe pariwar me shadi kar denge lekin wo log apne kabile aur khandan ke riwajo ka wasta dene lag gaye. Aise karke pichle ek saal me unhone pure pariwar ko mana keval ammi chhod kar kyonki unse ye baat kehne ki himmat kisi me nahi thi. Toh wo sab log aaj isi liye ikkatha huye the.. Ab sab log intezar kar rahe the ki ammi ko batane ki shuruaat kese aur isiliye ye log nani ko lekar aaye the. Kyuki ek wahi insaan hai jo ammi ko samjha sakti ya tu keh lo ki rok sakti hai. Toh iss waqt sari aurte ek kamre me baithi hui thi aur itni khamoshi thi hawa bhi aawaj kar rahi thi. Aur to aur auraten itni der chup reh jaye ye bahut badi baat thi aur itna hi bada ye matter tha kyonki Rubina mujhse 7 saal badi thi. Dadi ne nani ko ishara kiya, toh nani uth gayi aur dadi se kaha
" Aisa karte hai pehle ye baat hum akele me kar lete hai, toh aap chaliye, zini beta chalo......" Nani ne charo dadi ko sath chalne ke liye kaha aur phir ruk kar " aisa karo Fatima aur najiya tum dono bhi chalo....
" Mai bhi chalti hu " ye aawaj shakila bua ki thi...lekin nani ne unhe mana kar diya aur wo ek kamre me chale gaye aur use andar se band kar diya. Nani ne ammi ko apne paas baithaya aur baki sab bhi apni jagah baith gaye..
" Dekh zini puri baat dhyan se sun na, phir kuch bolna humne iss baat pe bahut socha hai phir tujhe batane ke bare me socha...." Ammi ne haan me gardan hilai
" Tumhare saas sasur Rubina ki shadi Javed se karna chahte hai " jaise hi nani ne ye kaha , ammi bilkul shocked ho gayi. Unhe bilkul ummed nahi thi wo kuch aisa kahengi...ammi gardan niche kar ke baith gayi aur kuch der tak room me shanti chhayi rahi... Is shanti ko nani ne hi bhang kiya
" Beta kuch to bol " charo dadi ki najre ammi par hi thi aur najiya bua bhi unhe hi dekh rahi thi. Badi mami ko shayad iss bare me pata tha.
" Ab kya bolu ammi, mujhe lagta tha aap duniya ki aakhiri insaan hogi jo mujhse aesi baat karegi, baki sab ka toh ek baar man lo ki wo aisa kar sakte par aap.. aap to inn logo ki taraf dari mat kijiye " ye bolkar ammi nani ko dekhne lagi
" Beta is pariwar ke taraf bhi tumhare shohar ki jimmedari banti hai aur ye inka riwaj hai toh isme hum bhi kya kar sakte hai aur waise bhi tumhare bhai Hamza ki shadi bhi toh tumhari bua ki ladki se hui thi"
" Nahi ammi, aisa kabhi nahi hoga, aap socho toh un dono ki age me kitna antar hai. Ek baar ko mai maan bhi jati agar love marriage hoti toh lekin aise nahi hai aur bhai wali baat aur inke pariwar ka mamla alag hai. Omar bhai ki shadi toh dusri jagah huyi thi na.... Mera manti hu jiska jaha mann ho wo waha shadi kare bas khush rahne chahiye.... Lekin inn logo ko auraton ki khushi se koi matlab nahi, kab tak chalega aisa.... Aur aap sab kaan khol kar sun lo.. khabardar jo mere bete ko iss sab me lane ki koshish ki toh " phir agle ek ghante tak iss par khub behas chali lekin koi natija nahi nikala.

" Wo dekh samne us aurat par kya beet rahi hogi jiski beti ki abhi tak shadi nahi hui hai. Wo to bechari dono taraf se mar rahi hai. Idhar tum nahi maan aur udhar uska pati " nani ne ammi ko najiya bua taraf moda. Najiya bua ro rahi thi aur unhone ammi ke samne hath jod liye. Ammi unhe dekhkar bahut bura laga lekin is sab me wo apne bete ki zindagi kharab nahi kar sakti aur wo uthkar bahar aa gayi.....
Udhar aadmiyo ke kamro me bhi yahi baat chal rahi thi...tabhi bahar se aawaj aayi...
" Saad bhaiii " ye aawaj ammi ki thi, udhar sari aurte bhi aa gayi thi aur mehman room se bhi
" Car ki chabi kaha hai, bhai "
" Mere paas hai, kya hua" saad mamu ammi ke karib aaye
" Mai ja rahi hu, aap log aa jana " ammi ne mamu ki jeb se chabi nikali aur haweli se bahar ki taraf chali gayi.. piche se abbu, omar aur saad bhi doudte huye unke piche aaye ....
" Zini ruk, mai chal raha hu tere sath " omar mamu ne ammi ko rokte huye kaha
" Aap ko pata tha na bhai, phir bhi aap yaha aaye, saad bhai aap chal rahe ho"
Ammi aur saad mamu dono wha se chale gaye. Toh long story short, ammi nahi mani aur upar se naraj aur ho gayi thi sabse. Ammi ghar par aakar apne room me chali gayi aur sar dard ka bahana bana kar sham tak andar hi rahi aur koi bulane bhi aaya toh wo nahi gayi. Sham ko 7 baje jab wo bahar aayi toh dekha sab log yahi the kewal javed ko chhod kar
" Sehrish, javed kaha hai "
" Mami, wo to abhi tak aaya hi nahi "
Ammi ne mujhe call lagaya par maine uthaya hi nahi. Thodi der baad abbu bhi ghar aa gaye lekin ammi ne unse koi baat nahi aur yaha tak ke unki taraf dekha bhi nahi.
Ammi mujhe kai call kiye par maine ek bhi call pick nahi kiya....Jab hum log free huye toh maine ammi ke miss call dekhe aur jaldi se ghar aaya, sath me unki favorite pastry leta aaya. Abhi 9 baj chuke the. Sabne khana kha liya siwaye ammi ke, puchne par unhone mana kar diya ki unhe bhuk nahi hai aur wahi hall me baithi rahi.... Jab andar enter hua toh ammi meri taraf hi dekh rahi thi aur thode gusse me thi.
Sab log apne kamro me the....
" Kha tha itni der " ammi ne gusse me pucha
" Sorry ammi, pls aaj maaf kardi " mai ammi ki taraf badha aur unke gale lagane laga toh unhone mere hath jhatak diye. Aur chilla kar.
" Maine pucha kaha tha itni der, subah se gaya hua hai, 12 ghante se upar ho gaya hai tujhe " Mai ise jhutha gussa samajh raha tha lekin aaj kuch alag tha. Jo mujhe pata nahi tha. Ammi ki itni tej aawaj sunkar abbu ke sath baki log bhi bahar aa gaye. Mere dono bhai upar se dekh rahe the.
" Ammi sorry na, dubara nahi hoga " maine apne bag se pastry laya tha wo nikali. Jab bhi mujhe aaj ammi gussa karegi toh mai pehle hi unhone manane ki tayari kar ke rakhta tha.
" Ammi, ye l...." Mere shabd mere muh reh gaye. Jaise maine ammi ko khilane ke hath badhaya unhone mera hath jhatka aur pastry chhen kar fek di aur mujhe collar se pakad kar khicha aur thappad marne ke liye hath uthaya lekin gaal tak lakar ruk gayi...tabhi piche se abbu ki aawaj aayi
" Zeennnattt...." Ammi ne unhe dekha aur ignore kar diya. ammi ne aaj tak mujhe marna toh dur kabhi danta bhi nahi hoga. Ye scene dekh kar mere dono bhai to upar hi chhup gaye, kahi unka number na lag jaye....
" Ek baar me samaj nahi aata, bata kya kar raha tha itni der bahar..... Meri hi galti hai, maine hi tujhe sar chadhaya hai, teri aadatein bigad kar....lekin ab bas " mai bas ek tak unhe dekhe ja raha tha. 5 min tak jab meri taraf se koi response nahi aaya toh unhone mujhe hilaya. Ye mere liye ek sadme ki tarah tha, subah sab thik tha abhi kya hua. Unki sab bato ko ignore kar ke maine car ki chabi unko di aur wapis ghar ke bahar ki taraf jane lag gaya....
" Javed kha ja raha hai, andar aa " ammi ke aawaj laga ne par bhi jab mai wapis nahi muda toh wo bhi mere piche aane lag gayi... Pehle toh wo gusse me boli lekin mujhe jata dekh kar unko ahsas hua ki unhone subah ka gussa mujh par nikal diya..
" Javed ruk ja.......betu ruk pls ......kaha ja raha hai....." Ammi bhi gate par aa gayi thi aur ab wo rone bhi lag gayi thi. Piche se abbu bhi aa gaye. Saad mamu aur choti mami haweli ke bahar lawn me walk kar rahe the. Ammi ki aawaj wo bhi idhar aane lage aur jab mujhe gusse me bahar jata dekha toh wo bhi mere sath chal diye. Saad mamu ki yahi khas baat thi ki wo har situation ko calmly handle karte the. Unki jagah koi aur hota toh mujhe jabardasti rokne ki koshish karta. Par mere sath hi chal diye, jaha bhi mai ja raha tha
Aur choti mami ammi ke paas chali gayi. Ammi mujhe aawaj dete huye wahi darwaje par hi baith gayi. Abbu mere piche aane lage toh choti mami ne unhe omar mamu ko bulane ke liye kaha.
Shandar twist wala update tha..
waese shadi kar lene se koi burai bhi to nahi hai .. ghar ki ladki ghar pe rahegi. lagta hai zeenat kuch jyada hi bhadki hui thi. galti kari kisine, zeenat ke gussa ka samna karna pada zawed ko.
zawed to ghr chhodke chala gaya.
 
Newbie
24
100
28
Update - 4

Sab ko lag raha tha ke Mai ammi se gussa hokar bahar nikal gya tha. Ghar se mai aur saad mamu lagbhag 1 km dur aa gaye the aur abhi tak dono me se kisi ne baat ki shuruwat nahi ki thi. mujhe pata tha mamu kuch nahi bolenge aur chupchap mere sath chalte rahenge, jab tak mai chalta rahunga.....
" mamu aap jao mai aa jaunga thodi der me....." maine unki taraf dekha toh unhone mujhe ek smile paas ki... jaise keh rahe ho ki beta mai toh tere sath hi chalunga...
" chal aaja, ice cream khate hai aur wahi baat karenge " mamu ne mera hath pakda aur mujhe us taraf le jane lage...
" mamu mera mood nahi hai........." maine ek baar koshish ki shayad mamu mujhe akela chhod de lekin nahi.....
" arey koi na mujhe comapany hi de dena, itna toh kar hi sakta hai apne mamu ke liye " hum dono samne us shop me chale gaye jo mere bachpan se yahi par thi aur hum hamesha yahi aate hai. Saad mamu hamesha mere sath ek dost ki tarah rehte the aur mai bhi unke sath utna hi frank hu aur apni sare bate share karta hu. Jabki baki sab mamu ke sath mera baap bete wala rishta jyada tha. Qasim mamu bhi frank the par saad mamu jitne nahi........Hum dono ke bonding alag hi level par hai....mujhe bhi unke bahut sare kand pata hai jaise dosto me hota hai.....
" mamu aaj tak ammi ne kabhi mere sath aisa nahi kiya, chahe kitni hi badi galti kyu na hui ho...... " 5 min me Hamara order aa chuka tha lekin maine uski taraf dekha tak nahi....
" arey kabhi kabhi ho jata hai, wo aaj thoda pareshan thi, isliye tujh par gussa ho gayi " mamu ne mujhe samjhana chaha taki mai unse kahi asli wajah na puch lu
" nahi mamu, wo kabhi aisa nahi karti. Chahe sab par gussa karle par mujhe kuch nahi kahegi aur jaha tak mujhe lagta jo bhi baat hai pakka mujhse related aur aapko bhi pata hai " Mamu ko lag gaya ki mai jawab sune bina nahi manunga, Toh hum dono shop se uth kar bahar aa gaye. Mamu mujhe apne sath lekar paas me hi ek garden me aa gaye aur wha ek shant jagah par baith gaye.

" Dekh mai tujhe bata toh raha hu lekin abhi ye baat kisi ko mat batana aur jahir bhi mat karna ki maine tujhe kuch bataya hai. Nahi toh Omar bhai meri waat laga denge " Phir unhone mujhe jo bhi ab tak hua sab bata diya. Kaise mere dada aur taya meri shadi Rubina aur Ambreen se karana chahte hai. Mamu ne bataya ki abhi ammi ko keval ek ke bare me bataya hai, jab dono bare me pata chalega tab wo kya karegi.......Mai toh ye sab sunke sadme me hi chala gaya,
" mamu meri shadi aur wo pagal rubina baji se , unko bali ka bakra mai hi mila tha. Aur ek se shadi ka toh chalo samajh me bhi aaye par ye 2 shadi wala kya natak hai... " meri halat dekh kar mamu has rahe the .

" arey log toh khush hote hai shadi karne par aur tujhe toh itni khubsurat biwiya milegi wo bhi do-do" mamu mera majak bana rahe the , unko bhi pata tha ki rubina aur meri bilkul nahi banti thi. Wo hamesha mujh par rob jhadne ki koshish karti thi. Lekin mai tehra Maha ziddi insan, jo kisi ki nahi sunta....... Isliye uska aur mera 36 ka nahi 72 ka aankda hai. Na wo mujhe pasand karti hai aur na mai use. Ambreen baji phir bhi thik......
"mamu pls yaar, ye koi majak wali baat hai kya........yaha logo ki ek shadi nahi hoti aur wo meri 2 kar rahe hai."
Mamu haste huye " Tujhe pata hai tere dada ne kitni shadi ki hai"
" unki toh sirf ek hi shadi huyi hai, Jaha tak mujhe pata hai.?????" Mai mamu ko sawaliya najro se dekh raha jasie mai kuch miss toh nahi kar raha hu..............
" yaar tere dada ke khandan ki history bahut hi pechida hai, jaha tak mujhe pata hai teri jo wo dono dadi hai unka nikah bhi tere dada ke bhai ke inteqal ke baad unse ho gaya tha " Ye baat sunkar mujhe laga shayad abhi mai apne khandan ke bare me kuch nahi pata aur mai wha kabhi itna raha bhi nahi........
" yaar mamu aisa bhi hota hai kya "
"arey aisa keval tumhare khandan jis kabile se belong karta hai, udhar hi hota . Un logo ko humse koi matlab nahi hai. chal ab ghar chal teri ammi pareshan ho rahi hogi. Jab tak tujhe dekh nahi legi roti rahegi. Waise ek baat bata jaha tak mai Zini ko janta hu, wo kabhi tujh par bina baat gussa nahi karti, Tune kuch to kiya hai?????" Mamu aur mai dono garden se bahar nikal kar ghar ki taraf chal diye. Unki baat sunkar maine socha aisa kya kar diya maine ??????? Achanak mere dimag ki batti jali...... Mere chehre ke expression dekh kar Mamu ne ishare se pucha, bata de beta kuch to kand tune bhi kiya hai.
" Wo pichli baar summer vacation me, mai gaon gya. Ammi to mujhe bhejne ke liye raji nahi thi lekin mai jid kar ke chala gaya. Aap us waqt delhi gaye hue the " toh hua aisa tha ammi mujhe kabhi gaon nahi jane deti thi. Shayad unhe darr tha iss baat ki, ye din jarur aayega. Jab ammi nahi maan rahi thi toh mai nani ke paas chala aur unke kehne par ammi ne mujhe 7 din ki permission dedi. Par mai wha 20 din ruk gaya, kyoki mujhe waha acha lag raha tha. Aur mai itne salo me pehli baar gaya tha toh sab mera bahut khyal rakh rahe the toh unke rokne par mai ruk gaya.
" beta kam toh tu bhi nahi hai, apni ammi ko pareshan karne ka ek moka nahi chhorta hai. Wo bhi keval teri hi bato me aati hai. baki pure ghar me kisi ki majal jo uski baat kat de. Sale teri ammi se Nana aur Omar bhai bhi darte hai. Gussa naak pe rehta hai us bandariya ke " Mamu mere gale me hath dalkar chal rahe the. " ye baat to mai pakka ammi ko kahunga. Isi tarah hum dono masti majak karte huye ghar aa gaye.
Idhar mere ghar se jate hi abbu, nana ke ghar chale gaye jaha sab hall me hi baithe aur unko bataya ki abhi ghar par kya hua.................
" Iss ladki ka kya karu mai, Gaon me bhi sabke samne aise hi uth kar chali aayi aur ab bechare par gussa nikal rahi hai" Nani ne pareshan hote huye kaha aur wo sab doude chale aaye, Nana ne nani ko mana kiya ki ammi ko kuch bhi na kahe ........... Ammi hall me sofe par baithi thi aur choti mami unhi ke paas baithi. Baki sab bacche bhi niche aa gaye the. Achanak ye sab hone se sab pareshan the. Thodi der bahar sab ne batein ki, us bare me nahi kyuki bacche yahi the. 10 min baad Nana, nani , Omar mamu aur abbu unke kamre me chale gaye baat karne ke liye...... Omar mamu ne badi mami se dhyan rakhne ko kaha ki koi us taraf na aaye............sab log andar aa gye, abbu aur mamu sofe par, nana ammi ke sath bed par baith gaye. Nani wahi khadi thi aur ammi ko ghur kar dekh rahi thi. Jaise puch rahi ho kya hai ye sab.
" sorry ammi, wo gusse me maine use daant diya, mujhe kya pata tha wo itni si baat par gussa ho jayega. kya mera itna bhi haq nahi us par jo use do baat keh saku " ammi ki aankh bhar aayi toh nana ne ammi ko apne side se gale laga liya....
" tu haq ki baat mat kar, tujhe bhi pata hai wo sabse jyada kise manta hai. aur mai nahi keh rahi use kuch mat keh lekin koi wajah toh ho kehne ke liye...... yu bewajah dantegi toh naraj hi hoga...... aur tu toh aaj tak galti karke bhi kabhi apni galti nahi manti. Subah apne sasural se aise uth kar chali aayi, hamari aur tere shohar ki kitni beijjati huyi hogi. Kya soch rahe honge wo log, hamesha apni manmani karti hai. Kya tere shohar ka koi haq nahi javed par, ya uske liye faisle sirf tu hi le sakti hai "
" lekin ammi, mai....." Ammi ne kuch kehna chaha toh nani ne unhe bich me rok diya
" chup, bilkul chup...... bahut sun li teri baat........Tune subah se apne shohar se baat nahi ki, us se pucha ki aisa kyu kiya usne, kyu wo apne bete ki shadi waha kar raha hai......... Nahi bas faisla suna diya aur uth kar chali aayi maharani ki tarah. " Sab chupchap nani ki batein sun rahe the.
" bas karo tum ho jati hai galti, bacchi hai abhi............." Ammi ko bacchi kahe jane abbu aur mamu khusar phusar karte huye has rahe the, Ammi ne unhe aankhe dikhate huye ishare se kaha aap ko to baad me dekhti hu. Yahi iss pariwar ki khas baat thi, Jo har mushkil me khush rehne ke tarike dhund lete hai.....
" ha.....aap ise jindagi bhar bacchi hi banaye rakhna, aap hi ne sar chada rakha hai iss ladki ko.... kisi ki baat man na toh dur sunti bhi nahi hai" Nani toh nana ki baat par bhadak hi gayi aur ammi ko dekh kar " dekho kaise apne bade bhai aur shohar ko aankhe dikha rahi hai, badtameej ladki "
" aap bhi toh baba ko daant rahi ho " Ammi ki baat sunkar abbu , mamu aur nana teeno jor se hasne lage, ammi ko jaban ladate dekh nani or gussa ho gayi aur marne ke liye badhi toh ammi nana ke piche chhup gayi " babaaa...bachao ammi........." aur ammi bed ke dusri taraf chali gayi. " ya khuda kab is ladki ka bachpana jayega............ " Nani wahi bed par nana ke pas hi baith gayi aur ammi bed ke dusri taraf.....
" Ammi aap ko kya lagta hai, mujhe samajh nahi aata ki kya chal raha, Jab javed summer vacation me gaon gaya tha tabhi mujhe darr tha ke aisa kuch na ho jaye....aur whi hua jo mujhe darr tha " ammi khisak kar nani ke paas baith gayi " Aap sab ne mujhe puri baat nahi batayi. Wo Rubina aur Ambreen dono se shadi karana chahte hai. dono hi us se badi hai lekin problem ye nahi hai ke wo us se badi hai. Agar javed ko koi ladki pasand hai aur wo us se 10 saal badi hai toh mujhe koi paroblem nahi hai. Mai uski khushi ke liye kuch bhi kar sakti hu. Lekin yaha baat hai jabardasti kisi ko ek dusre ke upar thopna. Jaha tak mujhe lagta hai, Rubina ko bhi javed pasand nahi hai, un dono ki kabhi nahi bani. "

"ab kya javed ko apne baap ke ghar bhi nahi jane degi aur tujhe kisne kaha????? Rubina tyar hai shadi ke liye, maine khud baat ki us se aur us par koi dabav nahi hai " ammi ne is baat ko koi jawab nahi diya. " dekh beta, hasan ek acha beta hai aur uski apne ghar taraf bhi jimmedari banti hai. Wo inn riwajo ko hamesha ke liye khatam karna chahta hai aur isliye javed ki shadi waha kara raha hai taki aane wali pidhi ko in sab se jhutkara mil sake, nahi toh hamesha yahi sab hota rahega "

" koi baat nahi ammi rehne do, lagta hai javed keval isi ka beta hai. Mera us par koi haq nahi.....Par apne baki dono beto ki toh kar sakta hu ya uske liye bhi............" Abbu ne ammi ko dekh kar ye kaha aur bahar jane lage toh mamu ne unhe rok liya.
"Mujhe bhi aapke kabile ke riwaj pata hai. Aap apne pariwar ya apne kabile ke kisi pariwar me shadi kar sakte hai toh Aapke kabile me aur bhi toh pariwar hai wha kyu nahi kar dete unki shadi. Kab tak tumhi kurbani dete rahoge. Meri Asma se baat huyi thi, wo log sehrish ki shadi rashid se kar rahe hai. ammi aap batao us ladke ke upar kai murder case chal rahe hai aur sehrish kitni achi ladki hai jisne masters kiya hai. Uski toh jindagi barbad ho jayegi, aisa mai hargiz nahi hone dungi "
" Tumhe pata hai na wo log kya karte hai, aur kitne ghatiya log hai. Waha koi insan kyu apne baccho ki shadi karega. Phir bhi tum aisi baat keh rahi ho. Agar tumhari beti hoti toh tum kya karti " Ammi ki baat se abbu thode naraj ho gaye the.
"Meri beti hoti toh aapko bhi pata hai. wo kya karti..................." Ammi ko abbu ki ye baat bilkul pasand nahi aayi aur baat bigadte dekhkar nana ne baat yahi khatam karna thik samjha.
" Raat bahut ho gayi hai, iske bare me hum kal baat karenge " phir sab log uth kar bahar aa gaye.......
 
Last edited:
Newbie
24
100
28
Nice StOrY......

Nice update bro

Well done

nice update


Waiting for next update brother thanks


very nice
keep it up dear writer

suru se hi abhi tak bahut behtarin tarike se story ko pratust kiya hai,
Kayi twists bhi a rahe hai .jab javed pata chalega uske ghar ke log kya khichdi paka rahe hai ,uska rista kiske sath tay karna chah raha hai, uski ammi kyu gusse me thi tab javed ka kaise react karega ?
outstanding nd amazing story...

Kya hua bhai shuru hote hi khatam......?

Shandar twist wala update tha..
waese shadi kar lene se koi burai bhi to nahi hai .. ghar ki ladki ghar pe rahegi. lagta hai zeenat kuch jyada hi bhadki hui thi. galti kari kisine, zeenat ke gussa ka samna karna pada zawed ko.
zawed to ghr chhodke chala gaya.
Thanks guys for your valuable comments........
 
Newbie
24
100
28
Newbie
24
100
28
:roflol: lagta hai zeenat ka gussa dekh dono ki ghighi nikal gayi... waise buri baat, apne bhai ko bachane aana chahiye tha :sigh:
Ye kaise bhai hai jo door se tamasha dekh ke popcorn kha kha ke :popcorn1:
Agar wo dono niche aate toh zeenat unka popcorn bada deti..
Kya baat hai.... Mere comments to lustyweb pe bhi famous hai...
Btw :thankyou:
Indeed they are..... Agar aap wahi Naina ho jo dusri forum par bhi mojud thi jaha mai ek silent reader tha.
waise ye baat zyada sanjida to nahi hai lekin hai jarur serious...
yahan 3 tarike se is mamle ko vichaar kar sakte hai... Ya ye kahi jaaye ki teen alag alag point of view se nishkarsh nikal sakte hai ...
First point of view.... mana ki baat ek apne hi pariwar ki ek ladki shaadi nahi ho rahi, iska matlab ye to nahi ki javed ko hi us ladki yaani rubina se shaadi karni hogi.... haalaki ye riwaj hai javed ke dad ke ghar parivaar mein, lekin zeenat ki nazariye se, ek maa ki nazariye se ye bilkul galat hai... Pariwar mein kisi ek ki jindagi sawarne ke liye kisi ek jindagi aise kaise kharab kar de... aur wo bhi tab jab baat is mamle mein pariwar wale ek maa se uski khud ki aulaad se ye tyaag dene kahe ... javed uske jigad ka tukda hai, aise kaise ek maa apne hi bache ki jindagi kharab hone degi...
Zeenat ke nazariye se dekhi jaaye to uski baatein sahi hai...

second point of view ..... pariwar , ek family kya hoti hai isko explain karne ki jarurat nahi.. sabhi jaante hai ki ek insaan uska pariwar ke liye kitna important hai.. Pariwar mein koi masla ho , family ki kisi member pe musibat aaye to uska sabhi pariwar wale milke hi nikalte hai.. Is kahani mein ullekhit pariwar bhi unse alag nahi...
ab yahan rubina ki shaadi nahi ho rahi.. is mamle ko leke society mein do baatein ho rahi thi.. aur kanafusi bhi... inhi baaton se bachne ke liye pariwar Aur riwaj ki ijjat bachaye rakhne ke liye rubina shaadi javed se karane ke bare socha... isme koi galti nahi... akhir insaan agar apne pariwar ke achhe ke liye kuch nahi kiya to kya hi kiya jindagi mein...
is point of view se zeenat ko apne pariwar wale apne sasuraal walo ki vidambana ko samajh ni chahiye...
Kahi na kahi pariwar wale sahi the is mamle . .

Third point of view yaani
Yaani meri nazar mein ye mamla bilkul saaf hai... are budhi godi laal lagam.. are kahe kare javed usse shaadi... Aur shaadi ho bhi gayi to kal ko unke bachhein bhi huye to kahi usko papa aur rubina ko dadi na pukarne lag jaaye :roflboow: :roflol:
Waise meri maano to najiya bua aur javed ki shaadi kara do....dono ki Jodi superhit hai...

Khair..... Kehte hai atyadhik gussa kisi ke liye bhi achha nahi hota hai ... khud ke sath sath saamne wale pe bhi kahar bankar tut ta hai...
Mana ki javed thoda bigad gaya hai, par ek dum se zeenat ne jis tarah kisi aur gussa uspe utara hai, zeenat ki wo khadi khoti baatein aur krodh javed ke dilo dimag pe bahot gehra asar daalne wala hai... agar wo samajhti hai uski aulaad bigad rahi hai to pehle se strictly rok tok karni chahiye thi... Har baar uski galtiyon ko yun nazar andaj kar dene wali zeenat ab ek dum se aise behave karegi to natiza yahi nikalne wala hai...
waise saad bahot hi suljha hua insaan hai.. wo jaanta hai ki aisi situation mein mamle ko kis tarah handle karna hai... I think wo javed ko samjha bujha ke wapis le aayenge...
Well ...Shaandar update, shaandar lekhni shaandar shabdon ka chayan ....

Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills :yourock: :yourock:
Thanks for review....... next kuch updates me sari bate clear ho jayegi.....
 

Top