- 167
- 473
- 63
UPDATE 41
Recap -
Me muskurakar gardan hila di. Fir hum donoi us thadi raat me baho me bahe dalkar purani yyade taza aur naye spane pirone lage.
Ab aage -
INT. CLUB - NEXT EVENING
Randhir ahalawat ke kahe anusar unlogo ne chabiya mujh tak poncha di, lekin meri tension jo us datacentre ke ander jane ki thi wo yu ki yuhi thi.
Har angel se soch kar dekh liya par kuch samaj nahi aaya ki ander kaise jao aur bina ander jaye randhir ki team club vicinity me enter nahi kar sakti.
Aaj bhi har roj ki tarah club me kafi bheed thi, sab log apne-apne kamo me lage hue the, ek alag team banaie thi jonny ke b’day ki tayarui ke liye, jisme mujhe bhi shamil kiya gaya tha.
Par mere dhyan isme bilkul nahi tha meri tension us datacentre ko lekar thi, kafi sochne ke baad bhi jab mujhe kuch samaj nahi aaya to socha ek bar in chabio ka use aur us gate ko bhi dekh lu jiska zikr randhir ne kiya tha.
Is sujhav ke aate hi mene charo aur ek bar nazre dodai aur fir us darwaze ki aur chal pada. Darwaze par ponchkar mene knob ghumai to darwaza khul gaya.ek Bar fir dekkha ki kahi kisi ki nazar to nahi pad gai mujper par aesa nahi laga.
Mene seedhio ke neeche utarna chalu kiya, aaj bhi waha behad kam roshni thi jo ki kuch zero watt ke bulb se aa rahi thi par thi itni ki cheeze dikhai pad gaye. Seedhio se neeche utar kar me us choti gallery me ponch gaya jiske dono side jail cell bani thi.
Sanata itna pasra tha waha ki agar sui bhi gira do to uski bhi awaz gunj jani thi, kher in sab bato ko nazar andaz karte hue me aage badha jaha randhir ke mutabik right side par ek darwaza hona tha.
Aage badhte hue me us coridor ke aakhiri chor par ponch gaya jaha darwaza bataya gaya tha par dono aur diwaro ko chhod kar waha kuch nahi tha.
Mene har ek jail cell me bhi jaker dekha ki kahi randhir ki information galat ho aur darwaza jail cell ke ander ho par waha bhi mujhe kuch nahi mila.
Ab meri tension badhne lagi kyuki bina is darwaze ke to randhir and company ka plan fail hona paka tha, aur saath hi mujhe gussa bhi aa raha tha ki na jane randhir ke paas sahi information he bhi ya nahi aur kahi uske plan ke chaker me kuch anhoni na ho jaye.
Jab har tarah se koshis karke me thak gaya to wahi zameen par sar pakad ke beth gaya apni nirasha me. Ki tabhi “nahi mila darwaza chilgoze?” Ki awaz ne mera dhyann uski aur kiya.
Aur us sakhs ko dekhkar mujhe paseene aa gaye kyuki wo koi aur nahi Peter tha. Mujhe ab samaj nahi aaya ki me kya bolu aur kamal ki baat ki peter ko kese pata laga me yaha koi darwaza dhund raha hu.
ME
Ko..kon sa darwaza bhai..me Kuch samjha nahi
Mere bol dar ke wajah se tut rahe the.
PETER
Abhi sab samaj me aa jayega MR.RAJ SINGHANIA
Uski is baat ne mere uper ek bomb foda, yaha Goa me mera pura naam koi nahi janta tha siwaye aanchal ke to peter ko kaise malum pada.
PETER
Kaya hua rang kyu ud gaya chere ka, tujhe kya laga mujhe kuch pata nahi chalega ki tu club me nokri kyu kar raha he
Wo chalte hue mere nazdeek aaya.
PETER
Ki aanchal jo Niti ke saath rehti he wo teri behen he
Peter mere bilkul nazddek aa gaya.
PETER
Ab natak band kar aur jo bhi he sach sach bol de, apna maksad sab, nahi to mujhe tareeke aur bhi aate he
Peter ne behad sard leheze me aur apni gun hath me lekar akhiri baat boli.
Ab dar ke mare mera sareer kanp raha tha, bebasi mere chere se jhalak rahi thi, aur koi rasta na dekhakr mene use sari baat sach batane ki thani.
ME
Ha apne sahi kaha bhai mera naam Raj Singhania he aur Aanchal meri sagi Behen he..
Aur fir mene use apni sari story bata di shuru se lekar ant tak aur yaha tak ki me darwaza hi khoz kyu raha tha jise khozne ke liye mujhe randhir ne bola tha.
Sari bato ke doran peter behad sanjeedgi se meri baate sun raha tha. Apni sari kahani sunane ke baad mene apni gardan hare hue yodha ki taha neeche jhuka li kyuki mujhe pata tha ba kaya hone wala he. Ya to peter mujhe khud goli mar dega ya sari kahani D’sooza ko sunadega jiske baad mere aur na jane aanchal ke saath kya ho.
Me behad dukhi tha par ye dukh mujhe apni zindagi ke liye nahi balki un sapno ke liye tha jo kal raat mene aur aachal ne apni aage ke jeevan ke liye soche the, us bechari ne to meri saari bato par aetbaar karke ek nai zindagi ke raang pirone shuru kar diye the, mene hi use vishvas dilaya tha ke kuch bhi karke use yaha se 2 din ke ander nikal lunga aur wo mujpe bharosa rakhe.
Par ab wo sheeshe ka mahel ek pal me tutta nazar aa raha tha. Meri is soch ko peter ki chehel kadmi ne toda, wo chalta hua mere bazu se guzra aur fir us coridor ki right side wali wall ke paas ponch kar ek chote se crack me apna haath fasaya aur jhat se wo deewar side me dhakel di.
Us deewar ki side hota hi saamne ek purana darwaza deekh gaya.
Peter ki is apratyashit harkat se me chonk gaya ki aakhir kyu isne mujhe ye darwaza dikhaya. Me haran bhari nazro se uski aur tak raha tha, peter meri aur muda aur apni gun wapis apni jeans me rakh li.
PETER
Tu akela hi nahi he chilgoze jo is club ki hawaniyat ka sheekar hua he, me bhi unme se eek hu
Uski baat se mera sar chakra gaya, Peter, par kaise.
Mene sawal bahri nazro se uski aur dekha.
PETER
Waise ladka tu jigre wala he par plan tere kache rehte he, tujhe aur savdhan rehene ki zaroorat he.
Ab mere confusion ki koi limit nahi thi.
PETER
Tujhe kya laga mujhe kuch malum nahi padega, shak to mujhe tujpar pehele din se hi ho gaya tha ki akhir ek bhala chnaga ladka jo achi family se lag raha he wo aese club me kaam kyu karna chata he aur wo bhi itne utawlepan me, par me us waqt kuch bola nahi, teri sari harkato ko observe karta raha. Aur teri pechli zindagi ko jane ke liye hi me Mumbai gaya tha jaha se mujhe tere asli naam aut thikana malum pada. Aur fir do aur do jodne me mujhe koi dikat nahi aai.
Me aankhe faade use dekh araha tha.
PETER
Par ye samaj nahi aaya tha ki tera asli maksad kaya he, jo aaj teri kahani ke baad saaf ho gaya aur ye bhi ki teri kahani mujhe jada juda nahi he.
Uski baat sunker me chonk pada.
ME
Mtlb..
PETER
Mene dekha tha jab tu peeche wali gufa me dakhil hua, me us waqt tera peecha kar raha tha aur jab tu seedhiya chad kar us darwaze ke paas poncha jaha se tujhe wo gane ki awaz aa rahi thi to mene chila kar tujhe rokna chaha, par fir mujhe kuch aesa dikha jo aaj tak nahi dekha. Kyuki wo shaks jo us deewar ke peeche tha usne tujhe kuch nuksan nahi phochaya.
Peter ke eek ke baad eek khulase se me dang reh gaya.
PETER
Janta he us deewar ke peeche wo shaks kon tha jise tu dar ke bhag aaya tha?
Mene ne me apni gardan hila di.
PETER
Wo meri BEHEN he...
Peter ke is jawab se to mere saare fuse udh gaye.
ME
KYA?...par..
PETER
Ye ek lambi kahani he, uska naam Julie he, wo mujhe 4 saal choti he, hum Puducherry me rehte the, baap to bachpan me chala gaya tha aur maa us waqt jab me 14 saal ka tha, mene hi use apni beti aur behen ki tarah pala tha. Aur dekhte hi dekhte wo na jane kab badi ho gai aur eek din mere paas aaker boli ki anna use kisi se pyaar ho gaya he aur wo use shadi karna chati he.
Peter thandi sanse bharta hue ek jail cell ki samne khada ho gaya.
PETER
Mene uski koi baat nahi thukrai thi to wo nhi nahi taal saka, usne bataya wo ek Raghuveer naam ke ladke se pyaar kari the, mene bhi uski khusi ke liya apni razamndi de di, aur fir Raghuveer se mila, Raghuveer mujhe acha laga par usne bataya uske papa ko is shadi se aeteraaz he to hame unki ger hazri me hi shadi karni hogi. Mujhe ye kuch sahi nahi laga par Julie itni khush thi ki me mana nahi kar paya. Kher dono ki shadi ho gai aur Julie wahe se Goa aa gai.
Mene Peter ki ankho me dekha jaha pani ke katre the.
PETER
Par che(6) mahine baad bhi jab Julie ka ek call tak nahi aaya to mujhe kuch sandeh hua to me Panji aaya, aur raghuveer ke bataye hue address par poncha, yaha chaan been karke pata chala ki Raghuveer naam ka koi admi idher nahi rehta, mene har koshis ki mujhe kuch surag mile par kuch nahi malum pada.
(thodi der ruka)
Fir eek din mujhe eek anjan number se call aaya, us shaks ne apna naam Dimitri bataya aur ye bhi ki meri umber use meri behen se mila he aur ab use ek scientific experiment ka hisa bana liya gaya he aur use iska hisa banne wala aur koi nahi raghuveer aur uska baap tha wohi raghuveer jise log aaj RAKA ke naam se jante he.
Peter ki kahani ne mere uper eek atom bomb hi fod diya.
PETER
Aur tab se mene is club ko join kar liya, ki kam se kam me apni behen ke paas to reh saku, aur aaj tak koi bhi uske itne nazddek nahi ja saka tha jitna tu chala gaya mere alawa, log iska karan nahi samaj sake par mujhe malum he wo mujhe apne paas kyu aane deti he
(kuch pal thera)
Aur tere itne paas jane ke baad mujhe lagta he shayad wo ache aur bure logo me fark phechan pati he
Ye bolte hue Peter ki aankhe bhar aai. Mujhe samaj nahi aaya ki me uski is dard bhari kahani par heran hou ya santvna du.
ME
To apne apni behen ko yaha se nikala nahi chaha kabhi?
Peter meri aur dekha.
PETER
Shayad hi koi aesi din ho jab mene ye na chaya ho, par us call me Dmitri ne ye bhi bataya tha ki uske DNA ko modify kar diya he aur ab wo eek bio weapon ban gai hi he agar use us kamre se nikala gaya to duniya khatam ho jayegi.
(peter ne thandi sans bhari)
Ab apni behen ki azadi ke liye karodo logo ki duniya ujad du itna to nahi gira hu me.
Mene hami me apni gardan hila di.
PETER
Ab tak me bas eek hi udesh ke liye jee raha tha jo aaj tune ye khaber suna kar ki RAKA aa raha he mere maksad to pura karne ka moka de diya. Use milne ki khuwaish me hi me is club me nokri kar raha tha. Eek bar uski chati me loha utar du to mere kaleze ko thandak ponch jaye gi, bas aur me kuch nahi chata.
Peter ye bolte hue gusse se kanp raha tha. Fir kuch der waha sanata raha. Meri use kuch bolne ki himat nahi padi. Kuch waqt bad wo bola.
PETER
Tujhe jo bhi meri madad chahiye bejhijak bata de, me nahi chata ki jo kuch mujhe aur meri behen ko jhelna pada wo tujhe bhi jhelna pade. Teri is kahani ka ant sukhad hona chahiye.
Peter ke is baat ne mano mujhe har muskil se chutkara dila diya ho, kyuki peter hi wo chabi tha jo mujhe datacente me entry dila sakta tha.
Mene peter ko apni pareshani batla di aur usne har sambhav madad karne ka wada mujse kiya.