Thriller Naagmani

Well-known member
3,825
7,366
143
NAAG MANI
UPDATE-19


Recep—pata nahi sahab…koi kuch kahta hai to koi kuch….kuch log kahte hain ki yaha bhoot pret rahte hain to kuch kisi vishal janwar ke hone ki baat karte hain…..lekin sach koi nahi janta….haan itna avashya hai ki andhera hone ke baad jo bhi jungle ki taraf gaya vo jinda nahi louta phir kabhi.

Rastogi (chounkte huye)—kyo….aisa kya hai iss jungle me…?

Recep—pata nahi sir….ye aaj tak ek rahasya hi hai sab ke liye…..desh videsh se jane kitne hi log iska pata lagane ke liye aa chuke hain…kayi scientist bhi aaye kintu koi jinda nahi gaya…..jane kya gahra raaz chhupa hua hai yaha jungle ke andar….?

Rastogi (mann me)—hey bhagwan….kahi kumar sach me jungle ke andar to nahi chala gaya…..?

Ab Aage…..

Rastogi uncle behad pareshan ho gaye….vo chintit mudra me idhar se udhar tahalne lage….tabhi vaha kuch vichitra si awaze sunayi dene lagi…

Ye awaz sun kar dono chounk gaye….hotel me ek gun man guard bhi tha jo ki andar hi baitha hua tha….iss vichitra awaz ne rastogi ke mann me kayi sawal khade kar diye….kuch hi pal me ye vichitra awaz bilkul karib se aane lagi jaise ki koi hotel ke bahar hi ho aur andar ghusne wala ho.

Rastogi—ye..ye kaisi vichitra awaz hai….? Koun hai.... ?

Recep—abe golu jaldi se hotel ka shutter band kar de….pata nahi sahab ye kya bala hai….jab bhi ye awaze sunayi deti hain uske agle hi din kisi na kisi ki laash jungle se baramad hoti hai.

Receptionist ki baat se rastogi ke dil me darr badhne laga ki kahi kumar ke sath koi anhoni na ho jaye....guard ne bhag kar hotel ke sabhi darwaje aur khidkiya band kar di.

Dhire dhire ye awaze aani band ho gayi to unke dilo me jaise jaan lout aayi ho....magar rastogi ka mann abhi bhi kumar ko lekar vyagra ho raha tha.

Rastogi—chalo bahar chal kar dekhte hain ki ye kiski awaz thi..... ?

Recep—kaha sahab aap inn pachdo me phans rahe hain….agar vo kahi yahi aas paas hua aur usne hame dekh liya to kal hamari bhi laash yahi kahi padi huyi milegi.

Rastogi—nahi..kuch bhi ho hame dekhna to chahiye hi…warna tumhari hotel me rukega koun agar aisa darpok ravaiya raha to….?

Recep (lambi saans khich kar)—theek hai sir,….aap jor de rahe hain to dekh lete hain….lekin darwaje ke paas se hi dekhenge…bahar nahi jayenge…..jaan hai to jahan hai.

Rastogi—theek hai

Recep—chal be…gole gate khol aur tu bandook le kar hamare aage rahna.

Teeno mann ko kada kar ke darte darte darwaja khol kar vahi gate par khade hoke idhar udhar taak jhaank karne lage jab koyi nazar nahi aaya tab vo hotel se bahar nikal ke dekhne lage.

Hotel se bahar aane par unhe kisi ke pairo ke nishan dikhayi diye…..un nishan ko dekh kar aisa laga jaise koi vishal manav himalaya ki choti se utar kar unn logo ke hotel tak aaya aur phir lout gaya.

Vahi dusri taraf……..

Maine apne charo taraf nazar doudayi lekin vo mujhe phir kahi nahi dikhayi diya….maine thak haar kar aage jane ka sochne laga kintu ab mujhe koi rasta hi nahi sujh raha tha ki kis disha me jaoon…? Lekin tabhi mujhe aisa laga ki jaise koi mere bilkul piche khada hai…

Ye ehsaas hote hi ek pal ko to mere saare jism me kisi anjane darr ki jhurjhuri si doud gayi….phir bhi maine himmat baandh kar dhire dhire apni gardan ko uss disha me ghumaya.

Meri to jaan hi halak me atak gayi…mere samne lagbhag dus foot ooncha vishal manav jaisa koi khada tha…. Uske poore sharir par karib teen inch lambe bhure (brown) bhure rang ke baal the.

Badi badi bhuri bhuri aur neeli ankhe thi….chehra aadha kisi langoor aur aadha manav jaisa tha….main kuch karne ka soch pata ki tabhi usne achanak se utha kar door phenk diya….

Main bahut door ludhakte huye ja kar gira aur mera sir kisi bhari cheez se takra gaya….jiski vajah se meri ankho ke samne andhera chhane laga…..

Vo jo koi bhi tha, phir se mere paas pahuch gaya….aur agle hi pal mere dekhte hi dekhte vo jamin ke andar pravesh kar gaya…..

Usne bhumi ke andar pravesh karne se purva jis vriksh ko kharoncha tha, vah bhumi se ek foot ki unchayi par tha dhire dhire meri ankhe band hone lagi aur main behosh ho gaya.

Udhar shukla ke aaj bahut maje the….vo ek rajya mantri ke farm house par tha…..rajya mantri to apne bed room me kisi call girl ke sath vyast tha.

Lihaja uske liye bhi ek alag kamre me sharab aur shabab ka poora intajam tha, jiska vo lutf utha raha tha….usne apni revolver nikal kar side me rakhi aur ek call girl ke sath bistar me pasar gaya.

Jee bhar ke uss call girl ke sath masti karne ke baad vo dono nange hi ek dusre se lipat kar so gaye….abhi soye huye kuch hi samay hua tha ki achanak usse mahsoos hua ki uske pairo par koi Lijliji vastu reng rahi hai….

Usne oonghati ankho ke papote dhire se khol kar udhar nazare ghumayi…dusre hi pal uske rongte khade ho gaye kyon ki vah vastu ek jahreeli nagin thi.

Shukla (mann me)—ye to vahi nagin hai.

Hadbada kar usne sidha hona chaha kintu usse pahle hi vo nagin apni jeebh luplupate huye uski ankho se ankhe mila chuki thi.

Phir shukla ko sambhalne ka bhi mouka nahi mil saka….usne apne bachav ke liye jaise hi apni revolver ki taraf ankhe ghumane ki koshish ki tabhi uss nagin ne uchhal kar sidhe uske maathe par vaar kar diya. Aur phir bijli ki gati se vaha se gayab ho gayi.

Shukla (cheekhte huye)—bachaaoooooo...

Uski cheekh sun kar vo call girl bhi uth gayi aur jaldi se khud ke nagn jism ko chadar se lapet kar darwaja khola... aas paas vaha moujud guards aur hawaldar bhagte huye vaha aa gaye.

Shukla (chillate huye)—mm...mujhe nagin ne kaat liya hai....mujhe doctor ke paas le chalo...fauran.

"Kaha hai....kidhar hai vo nagin." Uss nagin ka jikra sunte hi sabhi ghabra gaye kyon ki sab ab tak uske prakop aur aatank se bhali bhanti parichit ho chuke the.

Shukla—vo...vo...nagin....

Shukla apni baat poori kiye bina hi behosh ho gaya....log usko le kar turant doctor ke paas bhage....lekin tab tak uss khatarnak nagin ka jahar apna kaam kar chuka tha....usse bachaya nahi ja saka.
 
Well-known member
3,825
7,366
143
NAAG MANI
UPDATE-20


Uski cheekh sun kar vo call girl bhi uth gayi aur jaldi se khud ke nagn jism ko chadar se lapet kar darwaja khola... aas paas vaha moujud guards aur hawaldar bhagte huye vaha aa gaye.

Shukla (chillate huye)—mm...mujhe nagin ne kaat liya hai....mujhe doctor ke paas le chalo...fauran.

"Kaha hai....kidhar hai vo nagin." Uss nagin ka jikra sunte hi sabhi ghabra gaye kyon ki sab ab tak uske prakop aur aatank se bhali bhanti parichit ho chuke the.

Shukla—vo...vo...nagin....

Shukla apni baat poori kiye bina hi behosh ho gaya....log usko le kar turant doctor ke paas bhage....lekin tab tak uss khatarnak nagin ka jahar apna kaam kar chuka tha....usse bachaya nahi ja saka.

Ab Aage.......

Ek qaid khane me anjali salakho se bandhi huyi chaand ki oor dekhte huye kuch badbada rahi hai...uski ankho se chhal chhal kar ke pani jamin par aviral bah raha hai.

Arjun tum kab aaoge.... ? ye virah ka dukh mere sharir ko shalya ki bhanti pida pahucha raha hai....tum shighra aa kar mujhe iss taklif se mukt kar do.

Dekho arjun, kartik me sharad chandra ka prakash ho raha hai...jagat sheetal ho gaya hai kintu main tumhare viyog me ab tak jal rahi hu.

Apni chaudah kalao ko usne jo prkashit kiya hai, usse aisa lagta hai jaise dharti aur akash dono jal rahe hain....iss chandni raat me ye shaiyya , sharir aur mann ka agni daah kar rahi hai.

Kyon ki jo sabke liye chandrama hai vo mere liye rahu ho gaya hai.... mujhe to charo khand andhkar poorn lagte hain...kyon ki tum jo mere paas nahi ho.

Sara sansar deepawali ke utsav manane me dooba hua hai...meri samast sakhiya geeto aur khelo ke dwara deepawali ka tyohar mana rahi hain... kintu mere bhagya ki vidambana to dekho ki main yaha iss adharmi aur durachari ki qaid me hu.

Main tumhare virah me ussi prakar jal rahi hu jaise deepak me batti jalti hai.....mera roop rang to sab kuch tumse hi hai...jab se tum gaye ho tab se aaj tak main bas tumhare hi loutne ki pratiksha kar rahi hu.

Ye virah mera hriday jala raha hai aur vah sulag sulag kar raakh ho raha haai.....mera ye dukh tum tak koun pahuchaye.... ? ye dukh mere youvan aur jeevan ko bhasmant kar raha hai.

Virah ka ye dukh chakkar lagata rahta hai aur mere sharir ko khata rahta hai……vah jeete jee hi mujhko kha raha hai aur mrit hone par bhi na chhodega.

Mere sharir ka rakt samapt ho gaya hai, anshu bah gaye, haddiya sab ki sab shankh ke saman andar se poli ho gayi hain.

Tumhari yah anjali tumhara naam chillate chillate aise hi dum tod degi ….Kal kartik poornima hai…agar kal bhi tum nahi aaye to phir main uss dusht aghora ko uski napak mansha me kamyab hone se pahle hi apne sasharir prano ka utsarg kar dungi.

Tumhare aur mere paas sirf aaj ki raat ka hi waqt shesh hai, arjun…. mujhe iss papi se bacha lo…apni anjali ko bacha lo.

Aur uske agle hi pal vaha ek tez roshni jhil milane lagi.....anjali uss roshni me kahi gayab hoti chali gayi…..vo roshni dhire dhire kramshah ghatne lagi, phir samapt ho gayi…. aur antatah rah gaya to kewal ek chir ghana andhkar.

Aur sath me nazar aaya mujhe burf se aakshadit ek rasta …aur nazar aayi ek chhoti si jheel…jiske charo taraf manav ki anginat khopdi aur haddiyo ka dher laga hua tha….uss jheel ke aas paas burf jami huyi thi.

Aur tabhi….

“Nahiiiiiiii…..Anjaliiiiiiii.” achanak chillate huye meri ankhe khul gayi…..mera poora sharir pasine se lath path ho raha tha.

Rastogi—tumhe hosh aa gaya kumar….? Lagta hai aaj phir se tumne anjali ka sapna dekha kya….?

Rastogi uncle ki awaz sun kar main chounk gaya....maine to hotel ke bed par khud ko paya…meri ankho ke samne abhi bhi anjali ka vo dard me dooba chehra hi ghum raha tha aur sath me uski vo baate ki mere paas kewal aaj ka hi samay hai.

Kanchan—jiju aap raat me bina bataye kaha chale gaye the... ? pata hai kitni tension ho rahi thi mujhe.

Tabhi mujhe raat ki vo sari ghatnaye ek ek kar ke yaad aane lagi….kaise main uss vishal manav ke piche piche jungle paar karte huye burf ke upar pahuch gaya tha…kaise usne mujhe dhakka diya aur phir vo jamin ke andar sama gaya phir mera sar kisi bhari cheez se takraya aur uske baad kya hua dhyan nahi.

Kumar—main yaha kaise phucha….? Koun laya mujhe yaha... ? kyon ki main to….

Rastogi..main lekar aaya tumhe….jab tum der raat tak hotel nahi loute to hum bahut pareshan ho gaye…upr se hotel ke bahar kisi vishal manav ke nishan aur vichitra awaze sun kar to buri tarah se darr gaye the.

Nandini—mera mann to kisi anhoni ki ashanka se baith hi gaya tha….alka ko to pahle hi kho chuke hain hum ab tumhe nahi khona chahte the.

Rastogi—upar se uss receptionist ne kayi tarah ki utpatang baate bata kar hamara darr aur bhi gahra kar diya tha subah hote hi hum guard ko lekar tumhe khojne hotel se bahar nikle to tum hame vahi gate par hi behosh pade mil gaye.

Kumar (chounk kar)—kyaaaa gate par……? Par main to raat me pahad ke upar tha…aur vahi behosh ho gaya tha jab uss janwar ne mujh par hamla kiya tha….phir yaha mujhe koun laya…..?

Sab—kyaaaaa….? Tum raat me jungle ke andar gaye the….? Aur uss janwar ne hamla bhi kiya….?

Kumar—hmmmm

Kanchan—omg...jiju aap bhi na...chalo dikhao mujhe kaha chot lagi hai.... ?

Kumar (sir me hath laga kar)—takraya kuch to mere sir me tha jor se...par koi chot to samajh me nahi aa rahi hai... badi tajjub ki baat hai…jabki raat me to bahut dard ho raha tha.

Nandini—lagta hai sach me hi ye jagah rahasyamayi hai.

Rastogi—kya dekha sapne me anjali ke baare me….?

Kumar—uska dard..uski tadap…uski aas…uski ummid…uska pyar….(phir sab batate huye).

Rastogi—iska matlab uss arjun ka kahi tumse koi na koi rishta to jarur hai, kumar….jara socho….uss nagin ne hame roop kund jheel aane ko kaha aur aaj tumhe sapne me bhi ek jheel nazar aayi….kahi ye hi vo roop kund jheel to nahi….?

Kumar—pata nahi….

Rastogi—aur vo janwar avashya hi him manav yeti hi hoga shayad….par jab usne tum par hamla kiya to phir mara kyo nahi….?

Kanchan (gussa karte huye)—papa aap kya chahte hain ki vo jiju ko maar deta….?

Rastogi—nahi beti…main bhala aisa kyo chahunga….lekin ye baat sochne wali jarur hai…hamla karne ke baad tumhare samne agla vaar kiye bina hi jamin ke andar sama jana sath me ped ko kharochna…iska kya arth ho sakta hai…?

Kumar—ye to ab aaj din me ja kar dekhne ke baad hi pata chalega…?

Rastogi—ok, to phir fresh ho kar ready ho jao….lunch kar ke yaha se aage ke safar par nikalte hain.

Hum sab ready ho kar apne aage ke padav ki oor nikal pade….mujhe kya pata tha ki asli khatra to ab shuru hone ja raha hai.
 
Well-known member
3,825
7,366
143
NAAG MANI
UPDATE-21


Kanchan (gussa karte huye)—papa aap kya chahte hain ki vo jiju ko maar deta….?

Rastogi—nahi beti…main bhala aisa kyo chahunga….lekin ye baat sochne wali jarur hai…hamla karne ke baad tumhare samne agla vaar kiye bina hi jamin ke andar sama jana sath me ped ko kharochna…iska kya arth ho sakta hai…?

Kumar—ye to ab aaj din me ja kar dekhne ke baad hi pata chalega…?

Rastogi—ok, to phir fresh ho kar ready ho jao….lunch kar ke yaha se aage ke safar par nikalte hain.

Hum sab ready ho kar apne aage ke padav ki oor nikal pade….mujhe kya pata tha ki asli khatra to ab shuru hone ja raha hai.

Ab Aage…..

Hum sabhi jungle ke andar ghus gaye…mujhe rasta to pata nahi tha kyon ki main yaha raat ke andhere me aaya tha kintu disha avashya malum thi.

Jungle behad ghana tha….mujhe khud ashcharya ho raha tha ki main raat me ye jungle paar kaise kar gaya..jabki din me iske andar jane se bhi darr lagta hai.

Kanchan—kahi vo janwar to nahi mil jayega na jiju…..?

Kumar—main ye kaise bata sakta hu…? Main koi jyotisi thodi hi hu.

Nandini—itna chalne me hi mere pair bhari ho gaye….ab aur chalna mushkil lagta hai.

Rastogi—to phir ek kaam karo tum aur kanchan hotel lout jao…..vaise bhi yaha khatra bhi ho sakta hai aur jaan ka jokhim bhi.

Kumar—aap sahi kah rahe hain uncle.

Kanchan—main kahi nahi jane wali….ab jo bhi hoga dekha jayega.

Nandini—main bhi….kahi hotel me vo nagin aa gayi to mujhe akela dekh kar chat kar legi mujhe bhi vo….na re baba …. uske jahar se marne se to achcha hai ki yaha hi rahu.

Rastogi—pata hai kumar uss nagin ne sukhram aur shukla ko bhi maar diya.

Kumar—ohhhh….kyo kar rahi hai vo aisa….?

Rastogi—kya pata…..?

Kanchan—lekin jiju uske apko yaha bulane ke piche kya maqsad ho sakta hai….?

Kumar—pata nahi

Rastogi—kumar beta…tumne bataya tha ki uss naag ne jate huye tumse kaha tha ki jab bhi tumhe kuch jarurat ho to usko yaad kar lena……to usse hi sab kuch kyo nahi puch lete tum….?

Kumar—mere dimag me ye vichar kyo nahi aaya pahle hi….? Shayad alka ke iss tarah apratyashit dhang se gayab ho jane se mera dimagi santulan hi kho gaya tha….aap ka kahna bilkul uchit hai……main koshish kar ke dekhta hu, agar ye kewal kalpanik sapna bhar nahi hua to…..?

Nandini—itna sab kuch hone ke baad bhi tum ab tak isko kewal sapna kahte ho….? Kya alka ke sath jo hua vo kewal sapna hai….? Uss aghori ki mout kya ek sapna hai…?

Main niche jamin par baith kar ankhe band kar ke uss naag ko yaad karne laga…..kuch hi der me me jab kanchan aur nandini ke jor se chillane ki awaz aayi to maine ankhe khol di.

Kumar—kya hua aap dono chillayi kyo…..?

Kanchan—vo…vo..jiju..apke samne…..

Maine kanchan ki adhuri baat sunte hi jab samne ki taraf muda to mere aage kuch doori par vahi paanch fun wala naag apna sar uthaye khada tha.

Maine dono hath jod kar unhe pranam kiya….meri dekha dekhi bakio ne bhi vahi kiya….mere pranam ke uttar unhone ashirwad dekar diya.

Naag—mujhe kisliye yaad kiya hai iss samay…..?

Kumar—uss nagin ne meri patni alka ko apne changul me qaid kar liya hai….vo kahi usko jaan se maar na de.. meri madad kariye usse alka ko chhudane me.

Naag—vo nagin bahut jiddi hai....usko kabu me karna atyant dushkar karya hai...kintu mujhe nahi lagta ki abhi vo alka ko koi nuksan pahuchayegi.....usne shayad aisa tumhe yaha tak lane ke liye kiya ho sakta hai.

Kumar—kintu mujhe yaha bulane ke piche uska kya prayojan ho sakta hai.... ?

Naag—prayojan to hai, bahut gahra prayojan hai…..jo tumhe aaj raat me samajh me aa jayega.

Kumar—mujhe to yahi samajh me nahi aaya ab tak ki vo meri dost hai ya dushman…..?

Naag—vo tumhari dushman to kadapi nahi ho sakti…kintu tumhe chahne walo ki dushman avashya ho sakti hai.

Kumar—main kuch samjha nahi…? To phir usne mantri aur baki logo ko kyo mara….? Jabki unse to mera koi sambandh nahi tha.

Naag—kya tum janna chahte ho ki usne aisa kyo kiya….?

Kumar--hmmmm

Naag—to phir theek hai…khud hi dekh lo.

Tabhi meri band ankho ke samne ek drishya ubhar aaya….jise dekh kar meri to kya kisi ki bhi ruh kaamp jayegi… ankho ke samne ka drishya hi kuch aisa tha.

Uske jism par phate purane kapde the aur chehre par bhookh pyas ke sath bhay ki lakire….vah betahasha bhag rahi thi, kyon ki teen darinde uska picha kar rahe the.

Ye teeno vo the jin par desh ki bahu betiyo ki suraksha ki jimmedari thi….yani ki home minister balwant, businessman sukhram aur commissioner shukla.

Kintu aaj unki ankhe apni hawash me kartavya bhool gayi thi….ek ped tale baithi akeli abla unke liye aasaan shikar ban chuki thi.

Achanak ladki ne unse bachne ke liye bhagte huye ek thokar khayi aur muh ke bal jamin par gir padi…uska sir vaha pade patthar se takraya aur jamin uske khoon se lal hone lagi.

Usne dard me tadapte huye kisi tarah sir utha kar dekha to nashe me dhutt teeno darinde usko ghere huye vahshiyana hansi has rahe the.

Phir vo teeno uss par toot pade….bahut der tak unka ye vahshiyana khel chalta raha…vo bechari dard se cheekhti rahi, chillati rahi…unse chhodne ki vinti karti rahi…lekin unn hawash ke pujariyo par iska koi asar nahi hua…..aur jab vo apni hawash shant kar ke door hate to vaha nazar aa rahi thi ek laash….bejaan bina kisi harkat ke.

Teeno uske baad vaha se chale gaye mantri ke farm house par….uss majboor ladki ki laash ko vahi chhod kar….ab tak teeno ka nasha utar chuka tha.

Balwant—hum logo ne uss ladki ko maar kar achcha nahi kiya.

Sukhram—to kya usko chhod dete sab ko batane ke liye….? Hum me se kisi ki izzat ek koudi ki nahi rahti.

Shukla—sukhram theek kahta hai balwwant...vah ladki agar jinda rahti to hamare liye khatra ban sakti thi.

Balwant—main to isliye kah raha tha ki uske sath maza bahut aaya tha….vaise vah vaha aayi kaise thi….?

Shukla—bhikhari to kahi bhi pahuch jate hain….upar wala bhi khoob hai….bhikhariyo me bhi itni khubsurti paida kar deta hai.

Balwant—tu to kavita kahne laga shukla….lekin mere dimag me ek shanka hai.

Shukla—kaisi shanka…..?

Balwant—hum uski laash ko aise hi chhod aaye the….tafteesh jarur hogi uski….kahi aisa na ho ki koi saboot mil jaye aur hum log pakde jaye….?

Sukhram—tu bekar me chinta karta hai…..tafteesh ke liye bhi to shukla ko hi bulaya jayega…commissioner jo hai.. aur mere pahchan ka ek doctor hai jo uski PM ki jhuthi report bana dega.

Shukla—bilkul sahi….aur agar koi saboot chhut bhi gaya hoga to hum apne kar kamlo se usko swaha kar denge.

Balwant—yaani phansne ka door door tak koi chance nahi.

Sukhram—hmmm….ab bas ek hi khatra hai hamare liye.

Dono (chounk kar)—kaisa khatra….?

Sukhram—yahi ki vah ladki punar janam kisi nagin ke roop me le le aur phir hamse ek ek kar badla le, pichle janam ka…jaisa ki purani filmo me hota tha.

Balwant (haste huye)—hahahaha…nagin ka badla….hahahaha

Shukla--hahahahaha

Ye scene dekh kar meri ankhe bhar aayi…..gala rundh sa gaya…kuch bola hi nahi ja raha tha….drishya khatam hone ke kuch der tak main aise hi baitha raha.

Naag—dekh liya ki kyo usne inn logo ko mara…?

Kumar—hmmmm…..lekin alka se uski kya dushmani hai…..?

Mere prashn ke uttar me naag ne kuch aisa kaha ki jise sun kar main buri tarah se chounk gaya....
 
Well-known member
3,825
7,366
143
NAAG MANI
UPDATE- 22


Ye scene dekh kar meri ankhe bhar aayi…..gala rundh sa gaya…kuch bola hi nahi ja raha tha….drishya khatam hone ke kuch der tak main aise hi baitha raha.

Naag—dekh liya ki kyo usne inn logo ko mara…?

Kumar—hmmmm…..lekin alka se uski kya dushmani hai…..?

Mere prashn ke uttar me naag ne kuch aisa kaha ki jise sun kar main buri tarah se chounk gaya....

Ab aage......

Naag—Kyon ki Alka uss admi ki eklouti ladki hai jisne tumhari uss aurat ki jindagi barbad ki shadi ka jhutha vada kar ke.....alka ko uske baap ke dushmano ne bachpan me hi kidnap kar ke anathalay me daal diya tha....usne bahut talash kiya lekin vo nahi mili......aur dusri sabse badi baat ye hai ki vo marne wali aurat, jiske sath ye vahashiyana harkat huyi vo aur koi nahi balki tumhari apni maa thi.....alka ka tumhari jindagi me aana shayad usko pasand nahi aaya.....ab to tumhe samajh aa hi gaya hoga ki uss nagin ki alka se kya dushmani hai..... ?

Naag ne jaise hi ye bataya ki vo aurat meri maa thi....mujhe bahut bada jhatka laga.....ye sunte hi mere hath pair sunn pad gaye jaise ki unme koi jaan hi na bachi ho.....main dhamm se niche ghutno par baith gaya....ankho ke samne andhera chhane laga aur hriday me apaar dard uthne laga.

Aur ye dard pani ban kar meri ankho se bahne laga....aaj jitni taklif mujhe apne seene me mahsoos ho rahi thi utni to tab bhi nahi huyi thi jab duniya wale mujhe harami aur na jane kya kya gaaliya dekar dutkar dete the...

Naag—Ye rone ka samay nahi hai putra.....ye mat bhulo ki tumhe anjali ko bhi bachana hai....vo bechari na jane kab se tumhare vapis aane ki raah dekh rahi hai.

Kumar (dard)—Meri kismat to dekhiye.....main aaj tak kabhi sapera to kabhi aghori ko bulata raha kise maarne ke liye.... ? apni hi maa ko..... ? laanat hai, dhikkar hai aise bete par....main aaj tak usko hi doshi samajhta raha sabki mout ka...kintu aaj mujhe pata chala ki uske andar kitna dard chhupa hai....aaj mujhe apne aap par kroadh aa raha hai.

Naag—shant ho jao putra.....abhi ye sab sochne ka waqt nahi hai...anjali ko bachane ke liye tumhare paas sirf aaj raat ka hi samay hai aur manzil tak pahuchne ke raste me khatre anginat hain.

Kumar (anshu bahate huye)—Jab ye hadsa hua tab main kaha tha....vo admi koun hai jisne meri maa ke sath chhal kiya...... ? kya vo jinda hai.... ?

Naag—vo ek bahut bada admi hai…aur jinda bhi hai ...baki sab baate waqt aane par tumhari maa khud hi bata degi.

Kumar—alka ko maarne ke to kayi mouke the unke paas, phir kyo nahi mara unhone..... ? vaise bhi alka ka to inn sab me koi hath nahi tha, vo to bekasoor hi hai.

Naag—Alka ko maarne ki usne kayi baar koshish ki lekin har baar tum beech me aa gaye....tumne usko alka ko chhodne ko kah diya, vo tumhari baat nahi taal payi.....aur dusra tum alka ko chahne lage the...isliye vo alka ki jaan lene ki jagah kewal usko tumhari zindagi se door karna chahti hai.

Kumar—kya main unse mil sakta hu.... ?

Naag—tumhe dekhne to vo roj hi aati hai.....ab ki baar jab aaye to khud hi mil lena....lekin abhi apne kartavya path par aage badho....chinta mat karo, alka ki jaan abhi nahi legi vo.....usne alka ko tumse door isliye kiya taaki tum anjali ke paas ja sako usko bachane, jo ki alka ke tumhare paas rahte tum kabhi nahi karne wale the.

Kumar—theek hai...agar maa ki yahi ichcha hai ki main anjali ko bachane jau to nishchit hi jaunga....vo aghori anjali se uski koun si shaktiya hasil karna chahta hai.... ?

Naag—vo anjali ko hasil to karna chahta hai…..kintu uska lakshya to tum ho arjun....

Kumar (shocked)—mainnnn... ? par kyo.... ?

Naag—Naag Mani ke liye….jo ki tumhare paas hai….baki aaj raat tum khud hi samajh jaoge….theek hai ab main chalta hu…apna dhyan rakhna.

Vo naag vaha se chala gaya….mujhe niche baith kar aise rote dekh sabhi ghabra gaye the….sab baar baar mujhe awaz laga rahe the lekin main to kisi dusri hi duniya me tha….

Rastogi—kumarrr..beta kya hua…?

Kanchan—jiju what’s happened…aap ro kyo rahe ho….?

Nandini—beta, kya hua….?

Lekin mujhe kisi ki awaz sunayi hi nahi de rahi thi…abhi bhi meri ankho ke samne vahi darindgi bhara drishya ghum raha tha…meri ankhe dard se tadap rahi thi…achanak hi iss dard ne akroash ka bhaav umadne laga aur meri ankhe gusse se jalne lagi….

Rastogi—kumar beta..akhir baat kya hai….?

Kanchan—Jiju…ankhe kholiye…mummy dekho na kya hua hai jiju ko…? Ye kuch bol kyo nahi rahe hain…?

Unke baar baar hilane dulane se badi mushkil se mujhe hosh aaya…kintu mera hriday abhi bhi ashant tha…usme uthal puthal machi huyi thi…chah kar bhi main apne dard ko chhupa nahi pa raha tha, aur ye ankhe mere dard ko chhupne bhi nahi de rahi thi.

Maine dhire dhire ankhe khol di…jo ki dard me ufante anshu aur gusse se lal ho chuki thi….mujhe ankhe kholte dekh sab ki jaan me jaan aayi par unke mann me kayi sawal bhi paida ho chuke the.

Kumar (ankhe khol kar)—chaliye hame aage chalna hai.

Kanchan—jiju aap ro kyo rahe the aur kuch bol bhi nahi rahe the…?

Kumar—kuch nahi..sab theek hai

Nandini—kya baat hai beta…hame bhi nahi bataoge….batane se dard halka hota hai….kya hum tumhare kuch nahi lagte….?

Kumar—aisa mat kahiye aunty…aap dono ne mujhe kabhi anath hone ka ehsaas tak nahi hone diya.

Nandini—khabardar jo dubara apne aap ko phir anath kaha to.

Kumar—sorry aunty galti ho gayi

Rastogi—ab batao kya baat hai….? Kuch baat huyi uss naag se….? alka safe to hai na….?

Kumar—ji uncle vo surakshit hai.

Rastogi—to phir baat kya hai…?

Kumar—vo asal me baat ye hai ki….(sab batate huye)

Poori baat sun kar unko bhi bahut bada shock laga…..unki ankhe bhi nam ho aayi…jabki meri to pahle se hi thi.. sab ne mujhe dhadas bandhane ki koshish ki.

Mera mann poori tarah se kafi vyakul aur ashant tha....ye ekant, nirjan aur sunsan sthan bhi meri iss vyakulta ko door nahi kar pa raha tha....shayad niyati kuch aur chahti thi, tabhi to main bina kuch soche samjhe aur bina koi vichar kiye vaha se uth kar aage ki oor badh chala.

Uske baad kisi ne mujhse kuch nahi pucha...shayad vo bhi meri halat ka andaza laga chuke the...chalte huye hum ek aise sthan par pahuch gaye jaha aas paas kuch bhi nahi tha.

Charo taraf meelo oonchi himalaya ki chotiya khadi thi, aas maan ko chunouti deti huyi…..kshitiz se kshitiz tak phaila hua durlabh pahadi elaka, jisko dekh kar mann me aatank ki anubhuti hoti thi.

Barf se aakshadit chotiya, jinki prithabhumi me tha neela akash.....tez hawa ke karan unn chotiyo par har samay barf jami hi rahti thi.

Adbhut drishya tha...unn adbhut drishyo ko apalak niharte huye hum sabhi dhire dhire aage badh rahe the.... ki achanak tabhi.....
 
Well-known member
3,825
7,366
143
NAAG MANI
UPDATE- 23


Mera mann poori tarah se kafi vyakul aur ashant tha....ye ekant, nirjan aur sunsan sthan bhi meri iss vyakulta ko door nahi kar pa raha tha....shayad niyati kuch aur chahti thi, tabhi to main bina kuch soche samjhe aur bina koi vichar kiye vaha se uth kar aage ki oor badh chala.

Uske baad kisi ne mujhse kuch nahi pucha...shayad vo bhi meri halat ka andaza laga chuke the...chalte huye hum ek aise sthan par pahuch gaye jaha aas paas kuch bhi nahi tha.

Charo taraf meelo oonchi himalaya ki chotiya khadi thi, aas maan ko chunouti deti huyi…..kshitiz se kshitiz tak phaila hua durlabh pahadi elaka, jisko dekh kar mann me aatank ki anubhuti hoti thi.

Barf se aakshadit chotiya, jinki pristhabhumi me tha neela akash.....tez hawa ke karan unn chotiyo par har samay barf jami hi rahti thi.

Adbhut drishya tha...unn adbhut drishyo ko apalak niharte huye hum sabhi dhire dhire aage badh rahe the.... ki achanak tabhi.....

Ab Aage……..

Sabhi uss manoram prakratik soundarya ka avlokan karte huye aage badh hi rahe the ki tabhi hamare samne vahi vichitra prani na jane kaha se aa kar khada ho gaya.

Rastogi (cheekhte huye)—bhago..! ye to Yeti hai..

Usko dekhte hi sab bhaybheet ho kar bhagne lage…magar jaise hi sab cheekh kar bhagne ke liye palte to unhe apne samne aise hi teen jeev samne khade nazar aaye…

Kumar—kkk…koun ho tum aur kya chahte ho…?

Usne koi jawab diye bina hamari taraf badhne lage to Hum dusri disha me bhagne ko huye ki tabhi unhone hame pakad liya aur apne kandho par jabran utha kar ussi jagah le aaye jaha kal raat vo yeti pahuchne ke baad achanak gayab ho gaya tha..

Ye dekh kar maine uske kaan me jor se kaat liya jisne mujhe utha rakha rakha tha....vo dard se tilmilate huye apna kaan sahlane laga aur uski pakad kuch dheeli pad gayi.

Mouke ka fayda uthate huye maine jaldi se apni kamar me bandha chaku nikala aur jaldi jaldi teen chaar vaar uski gardan me kar diye jisse vo niche gir kar dard me chillane laga.

Uske niche girte hi maine khud ko uski pakad se azad kiya aur uski gardan se chaku nikal kar daud ke ek aur yeti ke pair me vo chaku ghusa diya jisne rastogi uncle ko pakad rakha tha…uske girte hi rastogi uncle ko uske kandhe se maine khich liya.

Kanchan (cheekhte huye)—jiju bachaooo..

Nandini (chilla kar)—bachaoooo

Dono ki cheekh sun kar main unki taraf bhaga magar tab tak rastogi uncle ne apni jeb se revolver nikal kar fire kar diya jisse vo dono bhi unki giraft se azad ho kar hamari taraf bhagi….aur aa kar hamare gale se lipat gayi.

Kumar—jitna jaldi ho sake, yaha se bhag chalo...ye sab ghayal huye hain ..mare nahi hain..chalo jaldi..

Main aur rastogi uncle kanchan aur nandini ka hath pakad kar vaha se tezi se ek disha me bhag chale…hame bhagte dekh kar vo charo yeti bhi dard me langdate huye hamare piche aane lage.

Bhagte bhagte hame ek gufa dikhayi di to hum charo uss gufa me ghus gaye…gufa me kafi andhera tha…lekin yeti se bachne ke chakkar me hum andar ghuste chale gaye kintu tabhi andar kisi ki jordar fufkar sunayi padi jaise ki koi bahut jahrila saanp ho aur yaha hame dekh kar behad gusse me aa gaya ho.

Agle hi pal vo fufkarne ki awaz hamare karib aane lagi to hum vapis bahar ki taraf palat kar bhagne lage…vo jo koi bhi tha lagatar gusse se fufkarte huye hamara picha kar raha tha.

Hum gufa ke dwar tak pahuche hi the ki tabhi kisi ne mere upar jump kiya…maine jaldi se usko ek hath se jhitak diya jisse vo kuch doori par gira….use dekhte hi hum sabhi chounk pade kyon ki vo ekdam kala bahut bada saanp hi tha…jo behad kroadhit tha…hum phir se bhagne lage.

Girte hi vo gusse me phir se hamla karne ke liye palta aur phir hamare upar jump karne hi wala tha ki tabhi maine bhagte huye ek bar piche palat kar dekha...aur phir daudne laga ...tabhi mujhe kuch sunayi diya...

“Arjunnnnnn”

Ye naam sunte hi mere pair thithak kar vahi ruk gaye…chounk kar maine piche dekha to uss naag ke alawa vaha koi nahi dikhayi diya jisne ye naam pukara ho…vo nag abhi bhi vaise hi ashcharya bhaav se meri taraf hi dekh raha tha.. tabhi phir se mujhe dard bhare gale se yahi shabd sunayi diye.

"Arjunnnn"

Dubara ye naam kisi ke muh se sun kar hum sabhi hairan ho kar apne charo taraf dekhne lage magar uss nag ke alawa koi nahi dikha.

Nandini (shocked)—ye kis ki awaz hai... ?

Kumar (hairan)—pata nahi…koi dikh bhi to nahi raha hai…main to khud hi hairan hu..

"Yaha vaha kya dekh rahe ho arjun…? Mujhe nahi pahchana…?" phir se kisi ne rundhe gale se kaha.

Kumar—koun hai... ?

"Udhar nahi iss taraf dekho arjun." Mere sawal ke pratyuttar me usne jawab diya.

Hamne chounk kar awaz ki disha me dekha, ye awaz uss taraf se hi aayi thi jidhar vo naag tha…kintu ab vaha koi naag nahi tha balki uske sthan par ek sundar sajila nau-jawan khada tha…uski ankhe bhigi huyi thi…hum sab usko dekhte hi chounk gaye.

Kumar (shocked)—koun ho tum…? Aur ye awaz kis ki thi…?

Ladka (nam ankhe)—ye meri hi awaz thi arjun…

Kumar (hairan)—arjun..! koun arjun..? main to kisi arjun ko nahi janta…mera naam kumar hai…tum kis arjun ki baat kar rahe ho…? Aur vo nag kaha gaya jo abhi abhi yaha tha…?

Ladka—kya apne dost ko bhi nahi pahchante tum arjun….? Main tumhara dost hu arjun..

Kumar (shocked)—mera dost..?

Ladka—haan arjun..main sunayan hu..tumhara dost sunayan..

Kumar (hairan)—sunayan..? lekin main to kisi sunayan ko nahi janta..

Ladka (sunayan)—kya tumhari yaad dast chali gayi hai jo tum mujhe nahi pahchan rahe…? Kya tumhe anjali bhi yaad nahi….?

Kumar (shocked)—a.n.j.a.l.i….! tum anjali ke baare me kya aur kaise jante ho….?

Uske muh se anjali ka naam sunte hi mujhe jhatka laga….yahi halat rastogi uncle, nandini aur kanchan ki huyi..vo bhi hairan the uski baate sun kar.

Sunayan (shocked)—kyaa tumhe kuch bhi yaad nahi hai…?

Kumar—nahii

Sunayan (chakit)—agar tum mere dost aur nag lok ke rajkumar arjun nahi ho to phir anjali ka naam sun kar chounk kyo gaye…?

Kumar—kyon ki main pahle bhi anjali ka naam kayi bar apne sapno me sun chuka hu….lekin tumne ye nahi bataya ki tum anjali ko kaise jante ho…?

Sunayan—agar tum janna hi chahte ho to suno….
Flash Back Start…

Prithvi ke niche ka lok naag lok, uski bhavyata ka varnan karna samundar ko hatheli me jal dikhane ke barabar tha.. nag lok bada hi manohar aur bahut vistarit tha..vaha ke stri aur purush jinke kamar ke niche ka hissa naag ki poochh ke roop me tha jabki kamar se upar ka hissa manusyo ke samaan tha…swarn ke dwar aur chaandi se bani uski deeware bade bade gharo jitne uske kamre the..sabhi vilasita ki vastuye uss lok me vidyaman thi…naag lok ke senapati bahut bahadur aur apne lok ke prati samarpan ki bhavna rakhte the.

Naag lok ke maharaj samuttar ke shadi ke kayi varsh beet jane ke baad bhi koi santaan nahi huyi thi…jisse maharani prabha vati bahut dukhi rahne lagi thi…samay ka pahiya apni gati se chalta raha aur samay ke sath santaan ki abhilasa badhti gayi.

Maharaj ke laakh samjhane par ki ‘santaan ka hona ya na hona bhagwan ke hath me hai’ par akhir aurat ka dil ye tark kaha manta hai…

Samuttar—maharani, aap ka dukhi hona to jayaz hai kintu santaan ka hona ya na hona eshwar ke hath me hai.

Prabha Vati (dukhi)—to kya naag lok ka kabhi koi warish nahi hoga…? Kya main santaan ka muh dekhe bina hi mar jaungi..? kya mujhe santaan ka sukh kabhi nahi milega…? Kya kabhi main apne liye maa shabd ka sambodhan sun paungi…?

Maharaj ne bahut samjhaya magar maharani kuch sunne ke liye taiyar hi nahi thi…yaha tak ki maharani ne khana pina tak chhod diya…maharaj ne jab yeh suna to vah bahut dukhi huye…vivash ho kar maharaj ne apne gurudev ka smaran kiya aur senapati ko bulaya.

Senapati—pranam maharaj, aapne mujhe yaad kiya…?

Samuttar—senapati, aap gurudev ke paas jaiye aur unse nivedan kar ke samman sahit apne sath mahal me le kar aaiye.

Senapati—jo agya maharaj.

Senapati ke jane ke pashchat maharaj gujarte din ke sath gurudev ke aane ki pratiksha karne lage…suryast ke baad gurudev rajmahal me upasthit huye to maharaj ne unhe apni raj gaddi par bitha kar unke pairo me apna mastak rakh diya…

Maharaj ki ankho se anshuo ki dhara phut padi…maharaj ko aise bilakhte dekh kar gurudev ne apni ankhe band kar ke dhyan lagaya aur phir unke bina kuch kahe hi maharaj ke mann ke vicharo ko samajh kar unhe putra prapti ka hal bataya.

Gurudev—suno putra, maharaj aapko putra yog nahi hai parantu ek upay se tum putra sukh le sakte ho..main tumhe vah upaay jarur bata sakta hu kintu usme thoda khatra avashya hai…

Samuttar (dukhi mann)—aap adesh kijiye gurudev…main pratyek khatre ka samna karne hetu taiyar hu.

Gurudev—tumhe purnima ki raat ko prithvi lok par jana hoga…aur vaha uttar disha me himalaya ki ek vishal kandra me ek bahut prachin shiv mandir hai…jise aaj tak kisi manav ne nahi dekha…uss shiv ling ki 108 parikrama karte huye aap ko shiv ling par jal abhishek karna hoga..aur parikrama ke baad ushi jal ko le kar aap ko aana hai…vo jal aapko apni patni ke sath pina hoga..mahadev ki kripa huyi to aap ko avashya hi putra sukh prapt hoga…kintu aap ko parikrama karte huye unn aatmao ka bhi samna karna hoga jo ye chahti hain ki uss shiv ling ka unke alawa aur koi bhi pujan na kare…unn aatmao ko khush kar ke tumhe unhi se ek patra (bartan) hasil karna hoga, ushi paatra me tumhe vo abhishek kiya hua jal lana hai…jo shiv ling ke abhishek hone ke uparant ek chote se kund me bhar gaya hoga…tumhe apni buddhi ka prayog kar ke unhe apne kaam ke liye taiyar karna hoga.

Gurudev maharaj ko ashirwad de kar apne ashram ko chale gaye…maharani ko jab yah samachar malum hua ki unke pati aur nag lok ke raja ko prithvi par jana hai to unhone putra prapti ki ichcha ka tyag kar diya aur maharaj ko prithvi lok par jane se mana karne lagi…kyon ki nag lok vaasi apne liye prithvi ko sabse adhik khatarnak sthan mante the..nag lok ke sabhi nag ye mante the ki prithvi lok par jana yani apni mout ko khud hi nimantran dena tha.

Kuch din to maharaj ne maharani ki baat maan li lekin purnima ke kuch din pahle hi maharaj apne varish aur bhavi raja ke liye vivash ho gaye aur maharani ko bina bataye hi prithvi par jane ka faisla kiya…apne senapati veer bahu ko raja ke samast adhikar de kar vah prithvi lok ke liye prasthan karne lage..tabhi unki nazar maharani par gayi jo hatho me thali liye, jisme deepak jal raha tha.

Prabhavati—maharaj, apna dhyan akhiyega agar aap ne jane ka faisla kar hi liya hai to..

Samuttar—maharani, aap chinta mat kijiye…mujhe poora vishwash hai ki main apne kaam ke jarur kamyab ho kar loutunga.

Kumkum, chandan, pusp se saja vah thaal dekh kar maharaj bahut anandit huye…maharani prabha vati ne unke mastak par chandan kumkum ka tilak laga kar arti utari aur phir maharaj ko vida kiya.

Maharaj ne prithvi lok par prasthan kiya…maharaj jo ki khud hiek nag the, unki gati bahut tez thi…vo iss gati se chal rahe the jaise ki bahut tez hawaye chalti hain…unhone jaldi hi apne lok ke suraksha dwar ko tod diya aur tez gati se prithvi ki taraf uttar disha me uss gufa ki taraf apni pooch se tedhe medhe hote huye rasta tay karne lage.

Maharaj ke sharir ka rang ekdam safed tha…aur uss par halke peele rang ki rekhaye bani huyi thi…nag lok ke maharaj hone ki yahi nishani thi..sabhi praja aur vaha ke senapati sahit vaha ke sabhi logo ka rang kala hota tha.. kamar se niche ka unka hissa gahre kale rang ka hota tha..pidhi dar pidhi raja ke bete ka rang ushi par jata aur vo aage hone wala raja mana jata.

Kuch din chalne ke baad hi purnima ki raat me jaldi hi maharaj prithvi lok par pahuch gaye…aur uss gufa ka pata lagane lage jiske baare me gurudev ne unhe bataya tha.

Maharaj samuttar ne jaldi hi apni naak ka upyog kiya aur shiv ling se aane wali sugandh ko soonghne ka prayas kiya. Unhe jaldi hi shiv ling se aane wali sugandh ki anubhuti huyi aur phir vo ussi disha me bahut tez gati se chalne lage..

Kayi choti, oonchi, nichi patharili gufao se hote huye vah uss gufa tak pahuch hi gaye…gufa dikhte hi unhone chain ki saans li…vah uss gufa me ghusne hi wale the ki tabhi….
 
Well-known member
3,825
7,366
143
NAAG MANI
UPDATE- 24


Maharaj samuttar ne jaldi hi apni naak ka upyog kiya aur shiv ling se aane wali sugandh ko soonghne ka prayas kiya. Unhe jaldi hi shiv ling se aane wali sugandh ki anubhuti huyi aur phir vo ussi disha me bahut tez gati se chalne lage..

Kayi choti, oonchi, nichi patharili gufao se hote huye vah uss gufa tak pahuch hi gaye…gufa dikhte hi unhone chain ki saans li…vah uss gufa me ghusne hi wale the ki tabhi….

Ab Aage…….

Maharaj samuttar ka putra arjun, jo itna sundar tha ki uske chehre se nazar hi nahi hat-ti thi…sabhi uski ek jhalak pane aur uske har ek adesh ki pratiksha karte rahte the…

Arjun itna chanchal aur hasmukh tha ki sabhi usse baat karne ki ichcha rakhte the…maharani prabhavati bhi aise sundar putra ko prapt kar behad khush thi..maharaj ne unhe aisa putra diya, iske liye vo hamesha maharaj ka shukragujar rahti…kitne sangharsh ke baad unke pati ne gurudev ke bataye raste se aisa putra paya..uske liye vo har roj uss baat ko yaad karti jis baat ko nag lok ka bachcha bacha nag janta tha.

Arjun apne 18 ve varsh me pravesh kar raha tha aur uske yuva hote hi yuva hasarate bhi jaagne lagi thi…rajkumar ke vaksh sthal ko dekh kar vaha ki har youvanavastha ko prapt nag kanya rajkumar ke prem me vashibhut ho gayi. Lambe choude kad kathi ke rajkumar arjun ke ghunghrale baal the, uski badi badi neeli ankhe bahut sundar dikhti thi.

Rajkumar arjun ke hotho ko dekh kar har nag kanya usse chipak jane ko aatur ho jati parantu arjun ke dil me agar koi thi, to vo thi…uske pita samuttar ke dwara batayi gayi prithvi lok ki kanya, jiski sundarta ka jikra uske pita ne maharani prabhavati se kiya tha aur prabhavati ne apne putra arjun se.

Bas tabhi se rajkumar ne apne dil me uski tasveer bana li aur prithvi lok par ja kar aisi hi kisi kanya ko dekhne ke liye sahi samay ka intazar karne me lage huye the.

Rajkumar arjun mahal me apne shayan kaksh me lete bahut prasann tha..uske jawan dil me ek baar phir se vahi ghatna sunne ko jee chaha, ki kis prakar uske pita ji prithvi lok par gaye aur unhone shiv ling ke abhishek kiye huye jal ko prapt karne me safalta prapt ki…? Mann me ye vichar aate hi vo apni maa ke paas pahuch gaya.

Arjun—maa, kya aap hame prem karti hain…?

Prabhavati—ye kaisa sawal hai putra…? Tum to meri jaan ho…iss nag lok ke hone wale raja ho tum..

Arjun—maa, ye mere sawal ka jawab nahi hai..

Prabhavati (mushkura kar)—haan..haan…main tumse bahut pyar karti hu..ab ye batao, tumhe kya chahiye…?

Arjun—maa, mujhe vo ghatna phir se sunao na…ki kis prakar pita ji prithvi lok par gaye aur unhone shiv ling ke abhishek kiye huye jal ko prapt karne me safalta prapt ki aur vaha ki sundar stri ko dekha tha…?

Samuttar (kaksh me pravesh karte huye)—arey rajkumar, unse kya sunte ho…hum tumhe poori ghatna batate hain ki hamare sath kya kya hua…?

Samuttar—jab main uss gufa me pravesh kar gaya tha to mujhe usme ghuste hi do dwar mile…jisme se mujhe kisi ek dwar me jane ka rasta chunna tha…maine unn dono dwar me se dahine dwar ko chuna aur kuch doori par chalte hi mujhe nar kankal aapas me ladte huye dikhayi diye…vo aapas me iss prakar lad rahe the ki bas jaise ek dusre ke bahut purane dushman ho….vaha par kul chaar kankal the aur charo hi ek dusre par aghaat kar rahe the.

Samuttar—jaise hi maine unhe dekha to vah mujh par hi toot pade...unhone aapas me ladna band kar diya aur mujh par apne pairo aur hatho ki haddiyo se vaar karne lage….main kuch samajh pata ki isse pahle hi charo ne mere upar akraman kar diya…

Samuttar—ek meri pooch ko daanto se kaat raha tha to ek meri pooch ke dusre hisse ko apne kankal ke pair se kuchalne ke prayas me laga hua tha…unhone apne nukile daanto ko meri pooch aur seene me ghusa diya…vo sab bahut hi bhayanak hasi ke sath has rahe the…aur bina jeebh ke hi mere rakt ka swad le rahe the.

Samuttar—mujhe apne bachav me bahut tez gati se bhagna pada...maine apne sharir ko jamin me lot pot hone diya..vo meri pooch se dab gaye…aur phir unhone apne kankal ke hatho se mujh par mukko se prahar kiya..unn kankalo ka bahut der tak mere sath yuddh hota raha.

Main aur nar kankal aapas me yuddh karte karte thak gaye…maine unn sabhi ke samne hath jode aur mujhe maarne ka unn kankalo se karan pucha.

Unki taraf se koi jawab mujhe prapt nahi hua to maine socha ki ye aapas me lad kyo rahe the.. ? isse pahle ki main kuch soch pata vah sabhi phir se mere upar toot pade.

Mere kroadh ne mujhe aur bal diya aur meri pooch ke ek tez prahar se vo sabhi door ja kar gire...unn sabhi ki gardan par meri pooch ka vaar hua tha jisse unke gardan ki haddiyo ka dhancha unke kandhe se alag ho gaya.

Sabhi apni apni gardan ko dhoondne lage…aur kuch hi der me unn sabhi ko apni apni gardan mil gayi jisko unhone apne apne sir par rakh li.

Unn charo me se do to shant ho gaye aur hasne lage kintu do aapas me phir se ladne lage….aur mere upar nazar padte hi mujh par hamla karne ke liye taiyar ho gaye.

Maine ussi kshan dono ke gardan ke kankal ko aapas me badal diya aur gardan badalte hi vo sabhi shant ho gaye… aur mere samne hath jod kar khade ho gaye…unke kankalo kesir aapas me badal gaye the, shayad vah aapas me isliye lad rahe the…kintu vo yaha kyo the…? Unke sir aapas me kaise badal gaye…? Mujhe inn sawalo ke jawab nahi mil paye.

Vo sabhi agle hi pal nar kankalo se sundar sharir wale ho gaye…aur mujhe shukriya kah kar bina kuch bole hi vaha se lupt ho gaye…main unse kuch puch pata isse pahle hi vo sabhi achanak gayab ho gaye…main phir se nirash ho kar aage badha kintu vaha par aage jane ka rasta band tha jisse mujhe phir se piche hi loutna pada..ab mujhe dusre raste ki taraf jana tha.

Main uss gufa ke ek dwar se vapis aaya aur dusre dwar me pravesh karne laga ..iss bar mujhe poora vishwash tha ki mujhe issi dwar me shiv ling prapt ho jayega jaisa ki gurudev ne mujhe bataya tha.

Main uss kandra me pravesh kar gaya..uska mukh jyada bada nahi tha lekin usme andhera bahut tha…aage ke rasta me main kis taraf chalu, mujhe kuch bhi dikhayi nahi de raha tha.

Uss raste ko dekhne ke liye maine apni mani ka istemal kiya jo ki meri sir ke mukut me sthit khaal sedhaki huyi thi.. maine apni mani ko bahar nikala aur uss gufa me mani ka prakash phail gaya…uss mani ki roshni me main aage ka rasta tay karne laga.

Main abhi kuch door hi gaya tha ki mera dahina hath kat chuka hai…vo mere sharir par nahi tha..aur kate huye bhag se khoon bah raha tha..main apne kate huye hath ko dekh kar ghabra gaya aur bahut tez rone laga…meri cheekhe uss gufa me goonjne lagi.

Main buri tarah se dard me cheekh raha tha…aur meri ankho se anshuo ki dhaar bah rahi thi…main ro raha tha ki achanak tabhi mujhe kisi ki thitholi wali hasi sunayi di.
 
Well-known member
3,825
7,366
143
NAAG MANI
UPDATE- 25


Main abhi kuch door hi gaya tha ki mera dahina hath kat chuka hai…vo mere sharir par nahi tha..aur kate huye bhag se khoon bah raha tha..main apne kate huye hath ko dekh kar ghabra gaya aur bahut tez rone laga…meri cheekhe uss gufa me goonjne lagi.

Main buri tarah se dard me cheekh raha tha…aur meri ankho se anshuo ki dhaar bah rahi thi…main ro raha tha ki achanak tabhi mujhe kisi ki thitholi wali hasi sunayi di.

Ab Aage…….

Kisi ladki ki dhire dhire hasne ki awaze aa rahi thi…aisa laga jaise ki koi mera mazak uda raha ho…main vahi par kundali maar kar baith gaya…baithte hi mujhe kuch aisa ehsaas hua ki main ghabra kar apne piche palat kar dekhne laga aur dekhte hi chounk gaya.

Samuttar (chounk kar)—arey ye kyaa….? Meri pooch kaha gayi…? Pahle hath aur ab poonch.. ! ye kya ho raha hai yaha mere sath…?

Mere kamar ke niche ke hisse se khoon ki dhara bah rahi thi….main bahut dukhi ho gaya…aur mann me vichar karte huye pachhtane laga.

Samuttar (mann me)—Ek putra ki khwahish ne mere paan le liye….kaash ! meri patni ko putra ki itni ichcha na hoti…ab kya karegi prabhavati..uske paas to putra bhi nahi aur ab pati bhi nahi hai…mere nag lok ke rajya ka kya hoga…? Kyo main putra prapti ki ichcha me itna aatur ho gaya…? Ab main kaise apne rajya ko loutu…? Kya main bina hath aur bina poonch ke ja paunga….?

Iss dauran mujhe vo hasi sunayi de rahi thi….aur uska swar badhta hi ja raha tha…vah hasi dhire dhire attahas me badal gayi..main apna sir apne hatho me patak raha tha…tabhi achanak mujhe ehsaas hua ki mere dono hath mere mastak ko chhu rahe hain.

Maine jaldi se apne hatho se apni pooch ko sparsh kiya..hath rakhte hi main phir chounk gaya...ye kya... ? meri pooch bhi mere sath thi ab.

Samuttar (hairan)—meri pooch to mere sath hi hai…to kya..ye sab kewal bhram jaal tha…? Haan, ye kewal bhram jaal hi tha..jise dekh kar aur uss gufa me pravesh karne wala itna jyada khaufjada ho jaye ki vo uss gufa me pravesh karne ke baare me soche hi na…jaise ki maine samajh liya ki ye sirf bhram jaal tha.

Aur phir achanak hi vo hasi bhi band ho gayi…putra prapti ki ichcha aur apni patni se kiye gaye vaade ko dhyan me rakhte huye main uss gufa me pravesh kar gaya…meri naag mani apni roshni se mujhe rasta dikha rahi thi.

Kuch aage uss gufa me pahuchte hi mujhe ghungharoo ki awaz sunayi di…vo ghungharoo ki awaz aage se hi aa rahi thi…ghungharuo ki awaz ke sath hi maine kuch nav-yuvatiyo ki awaz bhi suni jo maano aapas me hasi thitholi kar rahi thi.

Vo sabhi awaz se ek dusre ki saheliya lag rahi thi…ek hi rasta hone ke karan main ussi disha meaage badhta gaya… achanak hi vo chota sa rasta jis jagah nikla, vo ek vishal aur bhavya sthan tha.

Uske paas me hi ek pani ka kund tha..jisme vo nav yuvatiya snaan kar rahi thi…vo sab hatheli me jal bhar kar ek dusre par pani phenk rahi thi….ardh nagn unn yuvatiyo ko dekh kar main apne yaha ka karan hi bhool gaya…aur uss kund ke baad dusra aur koi rasta mujhe dikhayi nahi de raha tha.

Kuch nav yuvtiya jo kund me athkheliya kar rahi thi, unme se kuch kund se bahar aa kar ghungharoo pahne huye nritya karne lagi…sabhi anand vibhor ho rahi thi.

Main latao ki aad se unhe dekh raha tha..tabhi unme se ek yuvti ki nazar meri nag mani par pad gayi…nag mani ke prakash ko dekh kar vo meri taraf aane lagi.

Samuttar (sochte huye)—ye to meri taraf hi aa rahi hai..ab kya karu…? Yaha se vapis lout jau ya phir yahi ruk kar uska samna karu…?

Tab tak vo yuvti mere bahut karib aa chuki thi...aate hi uski nazar meri vishal pooch par pad gayi jisse vo jor jor se cheekhne lagi....uski cheekh sun kar sabhi apne ghungharoo utar kar hatho me le liye...

Vo ghungharoo unke hatho me aate hi nukile hathiyar me badal gaye….sabhi meri taraf unn nukile hathiyaro ke sath tezi se daud padi aur phir unhone unn nukile hathiyaro se mere sharir par prahar karne shuru kar diya.

Unn hathiyaro ke praharo se main tilmila gaya....apne bachav aur kroadh me aa kar maine unhe apna sabse bhayanak aur kroadh se bhara hua sharir unhe dikhaya....sath me apni pooch se unke hathiyar girane ka prayas karne laga.

Main apna bachav kar raha tha kintu unhone mujhe apna dushman samajh liya aur unn nav yuvtiyo aur mere beech yuddh shuru ho gaya.

Mujhe unse ladne me bahut jhijhak ho rahi thi...aur main soch raha tha ki kaha ye komal nav yuvtiya jo yuddh kar rahi hain...inke hatho me hathiyar shobha nahi de rahe lekin iske vipreet vo mere upar badi hi berahmi se vaar kiye ja rahi thi...main apna bachav karta raha jabki vo sab meri jaan lene par aatur thi.

Maine akhir kroadh me aa kar sabko apni pooch ke paash me baandh liya..apne vish ki halki fufkar se maine unhe behosh kar diya...aur isme mujhe kinchit maatra bhi afsos nahi hua kyon ki mujhe bhi putra prapt ki vishes lalsa thi.

Vo sabhi behosh ho chuki thi aur mujhe aage ka rasta malum nahi ho raha tha..isliye maine unn ladkiyo ko hosh me aane tak apni pooch me baandhe rakha...thodi hi der me vo sabhi hosh me aa gayi.

Sabhi kisi najuk si bel ki tarah murjha gayi thi...hosh me aate hi sabhi ne hath jod kar apne aap ko azad karne ki prarthana karne lagi...mujhe unn sabhi par taras aa gaya...maine azad karne se poorv unse aage ke raste ke baare me pucha....unme se ek jo sabse hoshiyar aur sabse adhik sundar lag rahi thi usne jawab diya.

Navyuvti—hame aage ke raste ke baare me kuch pata nahi hai..bas itna hi pata hai ki yeh kund jisme ki hum snaan kar rahi thi, ye raat me sukh jata hai..uske baad hum sabhi yaha se chale jate hain..yaha koi nahi rahta...aap ko iss kund ke sukh jane tak intazar karna hoga.

Mere paas aur koi chara nahi tha...to maine unn sabhi ko azad kar diya aur vahi ruk kar uss kund ke sukh jane ka intazar karne laga.

Main uss kund ke bahar hi baitha tha...yuddh aur aakraman se thaka hone ke karan thoda araam karne laga aur achanak hi meri ankh lag gayi.

Main gahri neend me so gaya..lagbhag ek prahar ke baad meri neend khuli to maine dekha ki vo kund ab sukh chuka tha...usme pani ki ek boond bhi nahi thi.....aur uss kund ke andar se kisi ki awaz aa rahi thi.

Maine jamin me kaan laga kar suna to mujhe koi vastu ki upar aati huyi awaz prateet huyi..aisa laga jaise ki koi vastu ya murti bahar aa rahi ho.

Maine jaldi hi uss kund ke paas se uth kar pedo ki choti choti daliya uss kund me dalna shuru kar diya…aur phir uss kund ke ek kone ko pakad kar main unn daliyo ke beech me se chhup kar uss awaz ke hone aur uss vastu ke bahar nikalne ka intazar karne laga.

Thodi hi der me uss kund ke andar se hi ek gupt darwaja khula aur phir…..
 
Well-known member
3,825
7,366
143
NAAG MANI
UPDATE- 26


Maine jamin me kaan laga kar suna to mujhe koi vastu ki upar aati huyi awaz prateet huyi..aisa laga jaise ki koi vastu ya murti bahar aa rahi ho.

Maine jaldi hi uss kund ke paas se uth kar pedo ki choti choti daliya uss kund me dalna shuru kar diya…aur phir uss kund ke ek kone ko pakad kar main unn daliyo ke beech me se chhup kar uss awaz ke hone aur uss vastu ke bahar nikalne ka intazar karne laga.

Thodi hi der me uss kund ke andar se hi ek gupt darwaja khula aur phir…..

AB AAGE……

Thodi hi der me uss kund ke andar se hi ek gupt darwaja khula aur phir char khubsurat aurate usme se bahar nikali jinke chahere se nazar hi hatane ka dil nahi kar raha tha.

Unke hath me phoolo se bhare huye thaal aur sath me pujan ki samast samagri thi…phir unke bahar nikalte hi achanak hi ek chabutara unke beecho beech nikal aaya…jis par shiv ling sthapit tha.

Vah sabhi uss shiv ling ki pooja karne lagi..aur unhone bade hi vidhi vidhan se uss shiv ling ki puja sampann ki..main apni saans roke huye ektak uss shiv ling ke darshan kar raha tha. Aur main ab kaise uss shiv ling ki parikrama kar sakunga, yahi soch vichar kar raha tha.

Tabhi vo sabhi puja kar ke vahi shiv ji ke dhyan me baith gayi aur ye dekh kar maine ussi kshan iss mouke ka fayda uthane ki socha…main shiv ling ko namaskar kar uski 108 parikrama karne hi wala tha ki tabhi mujhe yaad aaya ki gurudev ne kaha tha ki mujhe inse hi vo paatra bhi hasil karna hoga jisme mujhe jal le kar apne nag lok jana hai.

Ye yaad aate hi maine apne naag roop ko badalne ka nirnay kiya aur sundar rajkumar me badal gaya…unn charo me se ek ne mujhe dekh liya..aur sath me unhe bhi awaz de kar bata diya.

Sabhi mujhe dekh kar kafi prasann ho gayi..aur main kaha se aaya hu, kis uddeshya se aaya hu etc..puchne lagi.. badi hi asmanjas ki sthiti mere samne paida ho gayi thi.

Samuttar (mann me)—kya main inhe sab kuch bata du…? Ya jhuth bol kar apna kaam karu…? Kahi sach batane par ye mujhse bhadak to nahi jayengi…? Kya karu..kuch samajh nahi aa raha hai…?

Akhir me gurudev ka dhyan kar ke maine unhe sach sach sab bata diya…jaise hi maine unhe apne yaha aane ka karan bataya, vaise hi vo sab mujhe kaatne ko aatur ho gayi..unn sabhi ka sundar swaroop achanak hi bahut kuroop ho gaya…unke kesh khul gaye aur ankho me khoon utar aaya.

Vo apne vajra ke samaan daanto ko khol kar meri taraf daud padi to maine apne bachav me phir se naag roop dharan kar kundli maar ke baith gaya aur apni fufkar se unhe daraane ka prayas kiya aur apni pooch se unko jeetne ki koshish karne laga.

Thodi der aise hi karne ke baad main uchhal kar kund ke upar chadh gaya aur unse vinti karne laga kintu vo meri vinti bhi sunne ko taiyar nahi thi.

Mere paas koi aur chara na hone par maine unhe apni naag mani dikhayi..jisko dekh kar vo sabhi shant ho gayi..aur phir se apne sundar roop me aa gayi…vo charo hi nag mani dekh kar stabdh rah gayi…maine unhe apni nag mani dene ka faisla kiya aur uske badle me apne paatra dene ke liye kaha.

Hamara sauda pakka ho gaya to maine bhi uss paatra se shiv ling ki 108 parikrama ki aur jal se abhishek kiya..maine uss kund se paatra me jal bhar kar unse vida mangi aur phir uss gufa se bahar nikal aaya.

Jaise hi main gufa se bahar aaya to Vo sabhi mere dwara liye huye uss paatra ko vapis le jane lagi…hum log apni nag mani ko kisi bhi kimat par apne se alag nahi karte parantu putra prapti ki prabal ichcha ne mujhe tod diya par phir bhi vo charo mere piche tezi se daudi.

Main bhi tezi se apne nag lok vapis aa raha tha aur unn charo ne mere nazdik aa kar mujhse vo jal ka paatra vapis lene ki koshish karne lagi…ab kyon ki mere dono hath uss paatra ko pakde huye the.. kyo vo jal se bhara hua paatra mere liye nag mani se bhi adhik kimti tha…?

Main abhi yahi soch raha tha ki achanak hi tabhi baan chalne lage..vo teer meri raksha me chalaye gaye the..unn aatmao se meri raksha karne wali ghode par sawar vo kisi desh ki rajkumari ya rani lag rahi thi.

Usne pal bhar me hi teero ki bauchhar kar di…vo dhanurvidya me parangat thi…usne mujhe dekha ya nahi..kintu main usko bas itna hi dekh paya ki uske ek hath par trishul ka nishan bana hua tha…aur mujhe vo nishan janmajat hi lag raha tha.

Iske baad main apne lok ko lout aaya aur gurudev ko apne aane ki suchna de di…jise sun kar vo bhi mahal me aa gaye..gurudev ne mantochchar kar ke vo jal maharani ko pine ke liye diya aur maine bhi uss jal ko grahan kiya.

Sabhi nag lok ke naago ko khushi to thi kintu unhone mera samman utna nahi kiya aur na hi aaj karte hain..sabhi mujhse kuch naraz bhi ho gaye the..kyon ki main naag mani unn aatmao ko de aaya tha.

Halanki naag maniyo ki iss lok me koi kami nahi hai parantu vo hamari bahut vishesh naag mani thi..kyon ki vo aatmaye thi to unke dwara naag mani ke galat upyog ki sambhavna bhi kam hi thi…parantu use unke paas jyada samay tak rahne dena bhi theek nahi hai.

Parantu kuch sawal mere andar hi ansuljhe hi rah gaye…jaise ki vo nar kankal aur vo rani koun thi…jisne meri raksha ki…? Kya usne bhi mujhe dekha tha…? Aur agar usne bhi mujhe dekh liya tha to phir nazar andaz kyo kiya..?

Raat bahut ho chuki thi aur samuttar ke dwara bataya gaya shiv ling se jal prapt karne ka kissa bhi khatam ho chuka tha…maharaj ne arjun ke kandhe par bahut pyar se hath phera.

Samuttar—putra, raat kafi ho chuki hai…ab jao so jao..

Arjun—ji pita ji

Uske baad arjun apne kaksh me sone chala gaya…agle din subah hote hi vo maharaj samuttar ke paas gaya..dono pita putra me kisi vishay par kafi der tak baate hoti rahi….aur phir achanak hi maharaj samuttra atyant kroadh me apne kaksh se bahar nikle aur unhone gusse me turant raj sabha ko ekttrit hone ka adesh jari kar diya.

Unke gusse ka karan koi aur nahi balki unka ladla rajkumar arjun hi tha jisne ki bas ek hi jidd pakad li thi ki use dharti lok par jana hai…aur vaha ki sair karni hai.

Prithvi lok par jane ke piche arjun ka ek aur karan bhi tha ki use vo naag mani bhi vaha se vapis lani thi jise uske hi pita ne unn aatmao ko de diya tha.

Sabha me sabhi upasthit huye…aur maharaj ke adesh par mahamantri ne rajkumar arjun ko samjhane ki bahut koshish ki lekin koi fayda nahi hua.

Mahamantri—rajkumar, aap hamare bhavi samrat hain…kisi ko bhi naag lok se bahar jane ki anumati nahi hai.. gurudev ke vachan aur apki prapti ki ichcha se maharaj dharti par gaye…agar aap vaha ja kar naag mani lane ke baare me soch rahe hain to iss lok me bahut naag mani hain..yaha ki sabha aapko dharti lok par jane ki ijajat nahi deti.

Arjun—aap ka kathan sarvatha uchit hai maha mantri ji….kintu aap shayad ye bhul rahe hain ki vo koi mamuli naag mani nahi thi…vo hamare poorvajo ki dharohar thi…jiske andar anek shaktiya hain…uski jaisi dusri anya naag mani nahi hai…main apne poorvajo ki dharohar ko aise hi kho kar unka apman nahi kar sakta….agar vo kisi galat hatho me pad gayi to aap jante hain ki uska kitna duruprayog ho sakta hai…

Arjun ko samjhane ke har sambhav prayas kiye gaye kintu sab nisphal hi rahe..koi usko uske nirnay se nahi hata paya..uski jidd ke samne sabhi ne ghutne tek diye…sabha rajkumar ke nirnay ko jhuka nahi saki aur samapt kar di gayi.

Maharani ne jab ye suna to vah bahut ghabra gayi aur unka ro ro kar bura haal ho gaya…akhir unka ghabrana uchit bhi tha…itne varsho ki pratiksha ke baad to unhe santan ka sukh nasib hua tha…ek maa apne putra ko apne se door hote dekh kaise bardast kar sakti hai…vo turant hi arjun ke kaksh me pahuch kar usse lipat kar rone lagi.

Prabha vati—nahii..main tujhe kahi nahi jane dungi…kya tum meri baat bhi nahi manoge…? Kya tumhe vo naag mani mujhse bhi jyada kimti hai…? Tujh par aisi lakho naag maniya qurban hain arjun..

Arjun—maa, aapse adhik bahumulya mere liye iss duniya me kuch bhi nahi hai…kintu ek putra aur ek rajkumar hone ke naate bhi mera kuch kartavya hai..

Prabha vati (sisakte huye)—kaisa kartavya…? Kya mere prati koi kartavya nahi…?

Arjun—maa, jab se pita ji uss naag mani ko dharti lok parchhod kar aaye hain tab se nag lok me unka samman kam ho gaya hai…ek putra hone ke naate ye main kaise bardast kar sakta hu…? Aur dusra vo naag mani hamare naag lok ki dharohar hai…mujhe mat roko maa….phir to jab main raja ban jaunga to kahi ja bhi nahi paunga..main kuch din me hi vapis lout aaunga maa..

Bahut samjhane ke baad bhi jab arjun tas se mas nahi hua to akhir maharani ne bhi use jane ki ijajat de di.. bhale hi dukhi mann se hi sahi.

Prabha vati (dukhi)—theek hai putra..agar tumhara yahi faisla hai to ...lekin tumhe meri ek baat jarur manni padegi.

Arjun—adesh karo maa..

Prabha vati—tum akele nahi jaoge...balki tumhare sath senapati ka putra aur tumhara dost sunayan bhi sath jayega.

Arjun—theek hai maa.

Sena pati ka putra sunayan rajkumar arjun ka hum umra hone ke sath sath uska param mitra bhi tha...maharani ka adesh milte hi vah arjun ke sath jane ko saharsh taiyar ho gaya.

Samuttar—ye aapne theek kiya maharani jo arjun ke sath sunayan ko bhejne ka nirnay kiya hai...dono ek sath jayenge to kisi bhi samasya se lad sakte hain...dono hi sundar, veer aur buddhiman hain....dono ek dusre se bhali bhanti parichit hain.

Agle hi din arjun aur sunayan dharti lok ke liye prasthan kar gaye...iss baat se anjaan ki ye safar dono ki jindagi ko kis disha me mod dega... ? iss safar se unki vapisi hogi bhi ya nahi... ?
 

Top