Fantasy RAJA Part 1 complete part2 Running

Well-known member
1,167
1,335
143
Update 1

Brahmanf ki sabse khubsurat grah earth jo ek anant kabhi khatam na hone wali space me basa hain jo ek bahut hi rahsmaye hai. Jahan rojana koi na koi ghatna ghat hi jati hai. Issi dharti pe kayi mahapurush ne janm liya or iss dharti ko pure tinolokon me lok priye banaya. Issi dharti pe kayi aise jagah bhi hain jo insano se chhupi hui hain. Chali chalte hain story pe .
India ki sabse pavitr nadi ganga jo himalya se niklti hain. Jo kayi pahadon or kasbon se gujarti hain. Ganga nadi kayi hazaron se bahti ayi hain lekin is bar kuchh alag huye ek kale libash me ek mahila ek kothri ko ganga me baha deti hain.lekin ye us kothri me se kisi bacche ki rone ki awaz ati hain. Wo kayi chhote chhote pathron or pedon se takrati or tairti rhti hai. Kuchh durjane ke bad wo kothri ek kinare ke pass ped se jaa takrati or ruk jati hain. Thik usi samye kuchh bhediyon ka jhund wahan pani pine ata hain or rone ki awaz ko sunta hai. Un bedhiyon ka mukhiya us kothri ke pass pahunchta hain or kothri me bacche ko dekh muskurane lagta hain. Aur uske bad?


Update 2
Achanak pani pi rhe sabhi bhediyon ki najar unke mukhiya pe padti hain jo ek kinare chupchap khade muskura rhe hain or kothri nihar rhe hain. Tabhi sabhi bhediya wahan jata hain or kothri me muskura rhe bacche ko dekh kar hairan hote hai. Tab un mese ek bedhiya age badhta hain or apne mukhiya se puchhta hain.

Bedhiya 1- sardar ye baccha?
Sardar - sambha dekho duniya ka rakshak ne janm le liya hain.
Sambha - magar sardar ye to ek insani baccha hai. Ek insani baccha kaise humara rakshak ho sakta hain?
Sardar- ye insani baccha nhi hain ye asal me ye satya hain jo purv janm me pure brahmand ke rakshak hua karte the or unhe dokhe se unke karibi ne hi unhe mar diya tha. Ab hume bahas me smaye barbad nhi karna chahiye inhe surkshit rakhna hoga kyunki inke dushman jald hi apne tapasya jag jayenge or inhe khatam kar denge.
Sambha- sardar agar ye ek alokik hain to inko koi kaise mar sakta hain?
Sardar - isliye kyunki inki sakti abhi soyi huyi hain jabtak ye 18 year ke nhi ho jate tabtak ye ek mamuli insan hi rhenge.
Sambha - to hum kaise inhe surakshit rakh sakte hain jabki ap achhi trh se jante hain ki hum abhi bahut kamjor hai?
Sardar - iska upaye hain sambha meri beti pari or inki wife jin nurja. Hume unhe bulna padega wo hi hain jo inki madadt kar sakti hai.
Sambha - kya jin nurja inki wife hain? Wo to bahut khatarnak hai or humari dushman bhi. Or beti pari wo kaise inki raksha karegi wo to ek chhoti bacchi hain.
Sardar - haan. Mante hainki nurja humari dushman hain lekin ye bhi sach hain ki wo inki purv patni bhi hain. Or beti pari asal me uska janm inki raksha ke liye hi huya hain.
Sambha - thik hain sardar.
Iske bad sabhi bhediyen huuuu........ki awaj nikalne lagte hain.
Phir sardar us kothri ko apne danto me leke kinchhte huye use apne bedhiyon ke jhund ke pass chale jate hain .


Update 3
Sardar- malti idhar aao dekho humara rakshak aa gya hain.
Malti- kya sach me hume mukti dilane humare rakshak aa gya hain. Wo roti huyi bat kahti hain.
Sardar- haan malti wo aa gye hain.
Ye sab sunkar sabhi bedhiyon ka jhund ek baar phir khushi me huuuuuuu.... Karte hain. Is khushi ko dekhakr badal bhi meg barshana suru kar deta hai.
Tabhi usi waqt ek sundar white bedhiya wahan ati hain or dheere dheere bacche ke pass chali jati hain or bacche ko dekhkar bahut khush hoti hain or baccha bhi use dekhkar ek dil ko chhu jane wala smile deta hain.
Tabhi sardar malti ko kehte hain ki
Sardar- malti ab hume inki patni nurja ko yahan bulana hoga inki rukshaka ke liye.
Malti - hmm thik hain.
Sardar- aap sabhi apne apne ghar me chhip jaye ab main nurja jin ko bulane wala hun.
Sardar ki bat ko sunkar sabhi bedhiye apne apne ghar me chhip jate hain or rah jate hain wahan to sirf malti ,sardar,sundar pari, or wo baccha.
Lekin tabhi malti kahti hain ki.
Malti - suniye humare rakshak ka naam kya hain?
Sardar - ye adhikar sirf beti pari ka hain or nurja ka.
Malti- hmm .
Sardar- ye jin lok ki rani or rajkumari main bedhiyon ka vanshaj or unka sardar apka awahan karta hun. Ye brahamnd ki sabse saktishali jin nurja aap sigrh ati sigrh yahan prakat ho.
Tabhi ananyash asman me bijli chamkne lagti hain or ek bijli thik sardar ke samne girti hain. Dekhte hi dekhte wahan ek bishal kaye or bahut hi bhyankar darawan jin prakt hota hain jise dekh kar sabhi bedhiyon jo bahar ki or dekh rhe the wo dar ke mare chhip jate hain.
Tabhi wo jin ek garjana or bahut hi bhyankar awaj me
Jin - aaj tumhe main jinda nhi chhodungi.aaj tumhekoi nhi baccha sakta.
Sardar - maafi jin nurja . Humne apko isliye yaad kiya ki humare rakshak or apke pati ne janm le liye hain.
Nurja - kya wo laut aye jaldi batao wo kahan hain. Unko dekhe hazaro sal ho gye jaldi batao wo kahan hain. Ye kahte huye nurja rone lagti hain .
Rone ki awaj sunkar sabhi bhedhiye dheere dheere apne apne gharon se bahar nikal kar ate hain. Aur wo nurja ko rota dekhkar hairan ho jata hain aur sochne lagte hain jo jin itni saktishali hain jiske samne saikaron jin miti ke saman wo jin nurja ro rhi hain. Uske tapkte ashoonwon ko dekhakar wahan sabhi maujud yahan tak ki badal bhi rone lagta hai.
Tab sardar kahte hain.
Sardar- maharani sahiba wo wahan hain ek kothri ke taraf ishara karte huye kahte hain .
Nurja wo pagal si daud kar us kothri ke pass chali jati hai.wo pgli apne piya se milne ke liye is kadar utawali thi ki wo ye bhi bhool gyi ki wo ud bhi sakti hain.
Jab nurja us kothri ke pass jati or ek sundar se balak ko dekh kar or uske tej ko dekh kar achanak hi wo jor jor se raaaaaajjjjjjaaaaa... Kahte huye rone lagti hain.
Usko rota dekhkar pari or malti bine dare uske pass jakar use dilasha dene lagte hain . Jab woh sant hoti hain tab wo ek sundar si ladki ka roop le leti hain.jise dekh kar kuchh bedhiye soch me pad jate hain inti darawani dikhne wali jin asal me itni khubsurt hain .
 
Well-known member
1,167
1,335
143
Update 4
Nurja ki khubsurati se pura jungle andheron me bhi suraj ke saman chamk rha hain. nurja muskurati or sharmati huyi apne raja ke pass jati hain or usase apne gile sikwe dur karne lagti hai. Gile sikwe dur karne ke bad nurja pichh mudti hain to uska dhyan pari pe jati hain. Nurja dheere dheere pari ke pass jati hai or uske sir pe apna hath pher uske bare me janane ki kosis karti hain lekin wo kuchh jan nhi pati kafi paryas karne ke bad bhi jab wo nhi jan pati to wo sardar se iska karan puchhti hain.
Nurja- sardar main iske bare me kyun nhi jaan paa rhi?
Sardar- rani ji aisa isliye kyunki iska janm raja sahab ke rakshaksh ke liye huya hain.
Nurja - lekin unko kis bat ki raksha jabki wo pure brahmand sabse shaktishali hain?
Sardar- inki shakti soyi huyi or wo shakti alag alag kaal me upashtith hain jab tak raja unhe paa nhi lete tab tak beti pari hi inki raksha karegi.
Nurja- thik hain. Lekin pari to bacchi hain wo.
Sardar - rani ji pari bacchi jarur hain lekin wo raja ki ek shakti me se ek hain.yaad hain jab raja ki mirtyu huyi thi to raja ne apna ek shakti chhupa diye tha.
Nurja- haan wo raja ki sabse shaktishali shakti thi.
Sardar - haan wo hi shakti kyi barason tak bhatak ne ke baad wo malti ke garabh me sama gya tha or kaha tha ki jab raja ka janm hoga tab main unki rakshak ban kar janm lunga to wo shakti ek beti ke rup main janm li pari ke rup me.
Tabhi usi samaye ek jin pragat hota hain.
Jin- rani ji kaal ki tapasye jald hi purn ho jayegi or wo bahut hi shaktishali ho gya pahle se bhi kayi guna.
Nurja- kya? Sardar hume ab der nhi karni chahiye or raja ko insano ke bich rhna padega .
Sardar- thik hain rani ji. Prantu pari ka kya? Wo to bhediya hain.
Nurja - uski chinta na kare main abhi use ek insani rup de deta hun.
Ye kahkar nurja ne apne ek hath age bafha kar pari ke sir pe rakhti hain or use ek insani rup de deti hain.
Insani rup me pari bahut hi khubsurat lag rhi thi uska gora chehra uski smile katile nain ye sab dekhkar sabhi bhediyen huuuu.... Ki awaj nikalne lagte hain.
Nurja - sardar ab hume der nhi karna chahiye hume jald hi ek aise pariwar ko dhundhna hoga jis ghar me koi beta or beti ne na janm liya ho.
Sardar -ji rani ji.
Ye kahkar sardar ankhe band kar ek aise pariwar ko dhundhne lagta hain or use jald hi ek aisa pariwar bhi mil jata hain.uske bad sardar apni ankhe khol rani ji ko bolte hain.
Sardar- yahan se 200 km dur ramghar ke thakur ko koi santan nhi hain. Ek khushbari ye hain ki wo log kuchh deri me wo hamare hi jungle me anewale hain devi maa ke darshne karne or santan ki prapti ke liye.
Nurja - deri kis bat ki hain chalo jaldi.
Itna kah wahan se malti sardar nurja pari or raja ko lekar thakur ki or chal dete hain.aur jin wapas apne jinlok chala jata hain .


Update 5
Idhar ek car jungle ke andar jaa rhi hain. Us car teen jan hain ye hain ramghar ke thakur ram singh or unki patni divya singh or unka wafadar driver raju kaka hain. Inki prashidi dur dur tak faili huyi hain log inhe bhagwan ki trh pujte hain. Inki dayaluta or naya lokpriye hain. Dur dur se log inki raye lene ate hain inke pass. Lekin ye log or inki family bahut pareshan hain kyunki inki sadi huye 10 sal ho gye lekin abhi tak inhe koi aulad nhi huyi. Inki patni bahut samjhati ki aap dusri sadi kar le lekin thakur ram singh apni patni divya se bahut pyar karte hain. Jab bhi koi inki dusri sadi ke bareme kahta to ye apni patni divya ke bare me sochne lagte ki unka kya hoga. Wo har us jagah gye jahan aulad ki ummid ki kirn dikhti prantu har jagah inhe nirasha hi hasil huyi. Unko yun pareshan dekh kar gaon ke log bhi bahut dukhi hone lage. Ek din aise hi gaon me ek bahut bade mahatma ate hain. Unki khatirdari me pura gaon or thakur ki family ne bahut sewa ki. Unki sewa se prashan ho kar mahtma ne unhe do bacchon ka vardan diye or wahan se vida le liye . Jate jate huye mahatma ne jungle me kali maa ki mandir me puja karne ko kahe isliye dono pati patni aaj jungle me kali maa ki mandir me puja karne jaa rhe is umid ke sath ki syad maa humari jholi bhar de. Unke liye sirf yahi ek ummid ki kiran thi.kuchh der bad car rukti hain to thakur ram singh raju kaka se puchhte hai.
Thakur- kya huya car kyun rok di?
Raju- malik car isase age nhi jaa sakti paidal hi chalna padega.
Thakur - thik hain.
Teeno jan utar ke jahdiyon ko chidte huye age badhte hain or kuchh der chalne ke bad wo pahunch jate hain.ek bhavye mandir jo kale patharon ko rakh kar bana hain. Manyta hain ki ye mandir hazaron sal pahle kisi raja ne banaya tha. Jahan ki deewarein ye bayan kar rhi thi wo mandir hazaron sal purani hain kyunki mandir ke pillar ki nakashi adbhut thi. Uske aas pass kayi aise ped paodhein or jadi butti thi jo syad hi sab log jante ho.
Teen us mandir itna kho gye ki unko samaye ka gyat hi nhi huya phir kisi ke hilane pe wo log apni tantra se bahar ate hain. Ye or koi nhi wohi sadhu baba the jo unke gaon aye the jinhone inhe iss mandir me puja karne ko kahe the.
Sadhu- ram beta. Kahan kho gye?
Thakur- pranam baba aap yahan?
Sadhu- haan beta. Main tumhari puja karwane aya hun.
Thakur- chaliye baba.
Thakur unki patni driver or sadhu baba mandir ke andar jakr puja karni suru kar dete hain. 1 ghante chali is puja me thakur or unki patni ne sradha se puja ki.uske baba kahte hain.
Sadhu- beta ab tum mandir ke dakshin disha me jana wahan tumhe ek aam ka ped dikhega aur wahan jo kuchh bhi mile use le ana.
Thakur - thik hain baba.
Uske bad thakur mandir ke dakshin ki or chal deta hain.
Idhar nurja pari malti or sardar raja ko lekar mandir ke dakshin me aam ke ped ke nicche dono pari or raja ko leta dete hain. Tabhi nurja achmbha or gussa se sarsar sepuchhti hain.
Nurja - ye kya hain sardar?
Sardar - rani ji humare purvajo ki bhavismani ke anusar inhe yahan hi mandir ke dakshin me aam ke nicche rakhna tha.
Nurja - lekin thakur to mandir me honge na?
Sardar- aap sahi kah rhi hain rani ji. Tabhi sardar ko thakur ate huye dikhte hain.
Sardar- wo dekhiye thakur ji yahin aa rhe hain. Chaliye yaha se.
Nurja sardar or malti wahan se chhip jate
hain jhadiyon me. Thakur ram singh jab aamm ke ped ke nicche dekhta hain to use do pyare bacche dikhte hain.wo sochne lagta hai.
Thakur ( man me )- ye kiske itne pyare bacche hain. Kon inhe chhodkar chal gya wo bji is khatarnak jungle me.
Thakur ram singh kafi der tak un baccho ko dekhta rhta hain or awaj bhi deta hain ki .
Thajur- chilla kar.... Ye kiske bacche hain.
Kafi der tak bolne or dhundhne pr jab koi nhi milta to use apne sath mandir chale jate hain. Ye sab dekhkar nurja bahut ron ata hain ki wo ek bar se apne pati se bichhd gyi. Aur wo rone lagi. Uska dard dekh kar achanak saaf asman me badal aa kar rone lagta hain.uski pida badal se bhi bardash nhi hoti or wo bhi tej rone lagta hain. Ye sab dekh kar malti bhi apnapni beti se bichhdane pr wo bhi tej rone lagti hain.aur wo huuuuuu.... Ki awaj nikal kar rone lagti hain. Sardar unhe bahut samjhate hain or samjha bhujha kar un dono ko apne sath bhedhiyon ke jhund ke pass laut ate hain.
Jab thakur mandir pahuchhta hain to divya ki najar unke hath me do bacchon pe padti hain jise dekhakr divya inke bare me puchhti hain.
Divya - ye bacche kiske hain swami?
Thakur - ye baccha mujhe. Aam ke ped ke nicche mila.
Sadhu- beta. Aaj se ye tumhare bacche huye maa ne tumhe ye prasad ke rup me diye.pranntu?
 
Well-known member
1,167
1,335
143
Update 6
Thakur- prantu kya baba?
Sadhu- in dono ko kabhi bhi ek dusre se alag na hone dena. Kyunki beta ladka bahut gusse wala hain or iska gussa sirf yahi bacchi sant kar sakti hain or koi nhi.samjh gye.
Thakur - ji baba.baba in dono ka naam kya hoga?
Sadhu - ye dono prasad ke rup me mili hain or inka nata janmo janm ka hain to inka naam raja aur pari hoga.
Thakur- thik hain baba ab hume agya de.
Sadhu- tathastu.haan beti divya dhyan rakhna in dono ka kyunki ye dono anmol hain bahut or maa ka prasad bhi.
Divya- ji baba. Pranam.
Sadhu- sada khush raho.
Uske bad teeno wahan se ramghar nikl jate hain raja or pari ko lekar.
Idhar nurja kafi der tak roti rhti hain or ant main decide karti hain ki wo bhi insani roop lekar raja ke pass hi rhegi wo jahan bhi jayega or rhega main bhi usi ke sath rhungi uske bad nurja ek insani chhotiladki ka roop lekar ramghar chali jati hai.
Dusri trh
Ek danav patal lok me ek pathar ki murti ke samne jor jor se chilata hain utho kal ab waqt aa gya hain tumhare jagne ka utho kal utho ....ye kah kar wo danav ek hawan kund ke samne baithkar tapsya karne lagta hain.
Iss trf thakur apni car me apni bibi divya or raja or pari ke sath jaa rhe the tabhi raju kaka ne break laga di.
Thakur- kya huya?
Raju- malik samne ek bacchi road pe jakhmi halat me giri padi hain.
Ye sunkar thakur or divya car se utarkar turant us chhoti si ladki ke pass jate hain.
Divya- swami iski halt to bahut kharab hain. kitna darnak accident huya hoga.
Thakur - hmm..pta nhi kon itni masoom si bacchi ke sath aisa kiya hoga. Lekin iske mata pita ?
Ye kah kar thakur idhar udhar dekhta hain to use dur ek jagah do lashe use milti hain. Ek admi or ek aurat ki lash milti hain.
Thakur or raju daudkar unke pass jakar unki navs check karte hain prantu unki navs nhi chal rhi thi. Phir wo dono wapas divya ke pass ate hain or us ladki ki navs check karte hain to pate hain ki wo ladki abhi jinda hain to turant thakur use god me lekar car ko hospital ki taraf dauda dete hain. Kuchhi hi der me wo sab hospital pahunch jate hain or jor jor se doctor doctor ....chilate hain. Ye awaj sunkar doctor unke passjata hain.
Dr.- are thakur sahab aap yahan .
Thakur - jaldi se is bachhi ko check karo.
Dr. Us bacchi ko lekar ot me le jakar check karne lagte hain or kuchhi hi der me wo wapas aakar bolta hain ki wo ab khatre se bahar hain.
Sab ye bat sunkar raht ki sans lete hain.
Fir thakur ko yaad ata hain ki iske mata pita to thakur police ko phone kar sab batata hain.
Thodi der bad us ladki ko hosh aa jata hain .aur wo
Ladki - maa papa kahti huyi chilati hain.jise sunkar bahar baithe divya thakur or raju ate hain.
Divya ladki ke pass jakar use sant karati hain aur usase ghar ka pta puchhne ki kosis karti hain.
Divya- beti tumhara ghar kahan hain or tumhara naam?
Ladki - mera ghar or mera naam ....mera naam kya hain? Ye bolkar wo rone lagti hain.
Thakur ye sab sunkar jaldi se doctor ko bulata hain.phir doctor usko check karta hain or kahta hain jise sunkar sab sad ho jate hain.
Dr.- lagta hain iski yadash chali gyi hain.
Thakur - (roni si surat me) kab lautegi iski yadash ?
Dr.- kah nhi sakte .
Divya ye sab sunkar turant us masoom si ladki ki trf dekh kar kahti hain ki .
Divya- main tumhari maa hun.
Ye sunkar. Ladki khush hokar divya ke gale lag jati hain.thik usi samaye wahan police aa jati hain.jise dekh thakur sahab unhe bahar lekr chale jate hain.
Police- thakur sahab wahan hume kisi ki lash nhi mili?
Ashcharye se thakur- ye kaise ho sakta hain achhe se check kiye ya nhi?
Police - humne wahan chapachapa chhan mara prantu hume wahan koi nhi mila .
Ye bolkar police wahan se chali jati hain.lekin thakur bahut preshan ho jata hain or ishare se divya ko bahar bulata hain.or kahte hain ki
Thakur - divya iske mata pita lash nhi mil rhi .
Preshan hokar divya- ab kya kare ? Bechari ki yadash bhi chali gyi.
Divya chutki lekar khush hokar kyun na hum ise apne sath rakh le apni beti bana kar.
Thakur khush ho jata ye sunkar or hami bhar deta hain.or receptions pe jakar ddischarge form fill up kar use apne sath chal jata hain.
Car me wo ladki pichhe baithti hain or divya ke hath raja ko dekh kar muskurati hain or raja jo abhi nind me tha apni ankh khol use dekh kar muskura deta hain. Wo ladki apne man me ?
 
Well-known member
1,167
1,335
143
Update 6
Ladki- dekha raja main aa gyi.
Haan ye aur koi nhi raja ki patni nurja hain.aur jo accident huya tha wo ek ankhon ka dokha tha or jo do admi or aurat ki lash thi jise thakur ram singh iske mata pita samjh rhe the asal me wo jadu se bane the. Thakur ram singh ke jate hi wahan sab kuchh gayab ho gya.
Nurja - ab mujhe tumse koi alag nhi kar sakta.( Muskurakar man me)
South africa ke ek sunsan se jungle me kuchh scientist experiment kar rhe the ek laboratory me. Ye labrotary satellite se bhi catch nhi ho paa rhi thi karan tha jungl bade bade ped paodhe.
Scientist 1- hum log jyada dur nhi hain humara experiment jald hi kamyab ho jayega.
Scientist 2- lekin sir kya ye experiment human ke liye khatarnak nhi hoga.
Scientist 1- maine issi liye to inhe bana rha hun. The human demon hahahahahha..
Ye log kuchh insan pe bahut hi khatarnak experiment kar rhe hain.inhe experiment karne dete hain chalte hain ramghar jahan thakur with family ramghar pahunch chuke hain.
Thakur ki car ko dekh kar sare gaon wale adab se unhe pranam or jayjaykar kar rhe hain.unki car gaon se hote huye thakur ki haweli pahunch jati hain.
Introduction thakur haweli
Haweli jo angrezon ke samaye me bana tha iski design bahut hi jatil hain dekhne se hi lagta hain kki is haweli ko banane me kitne kharchh huye honge. Issi haweli ke lal ne angrezon se loha bhi liya tha or apne desh or gaon ke liye sada sada ke liye amar ho gye .
Car haweli me dakhil hoti hain or haweli jane ke raste pe chal padti hain. Raste ke dono tarf kayi prakar ke ped paodhe phool phal ke ped lage the raste ke bich me ek bahut bada or ankho ko bha jane wala fuora tha jiski nakashi beshkimti hain. Car raste se hote huye haweli ke gate ke pass aa kar rukti hain.wahan gate ke pass sare naukar naukarani hath jode khadi thi. Jab thakur or thakurain car se utarti hain to sare log unhe sir jhuka pranam karte hain.jab sabhi ne apna sir uper kiya to thakur or thakurain ke hath me dodo baccha or nurja ko dekh bahut khush ho jate hain.uske bad wo teeno thaakur ram singh divya pari raja or nurja haweli ke andar dakhil hote hain.
Thakur ki family me
Pita - thakur charan singh
Mata- sita devi
Brother- rakesh singh
Unki wife - sarita devi
Inki do beti
Badi beti - suman
Inke pati - sanjay
Chhoti beti - subhadra
Inke husband - nitesh

Jab sabhi log ram or divya ke hath me bacche ko dekhte hain to sabhi khush ho jate hain or nurja ko dekh kar uske bare me puchhte hain. Jiske bad thakur ram singh unhe sab kuchh bata dete hain.
Uske bad sita devi kahti hain.
Sita devi- aaj pure gaon ko dulhan ki trh saja do aaj humare ghar ka chirag aya hain jashan manao or pure gaon me ye bata diya jaye ki koi bhi apne ghar khana na banaye.aaj sam ko bhoj hain .
Iske bad thakur charan singh ek naukar bulate hain.
Charan singh - dinesh jao ye bat gaon me kah ayo or sam ke jashn ki tsiyari karo.
Dinesh - ji malik.
Dinesh ye bat gaon me jakar sabhi ko kah deta hain jise sunkar pura gaon jashan me samil hota hain sam ko.
Jashan me kayi mantri neta police or bade bussinessko newta bhejajata hain.
Sabji log sam ke jashn me samil hote hain.jashn me 56 bhog bane the or sabhi log jashn khub maza lete hain or teeno bacchon ko apna ashirwad dete hain.


Update 7
Ashirwad dene wale me se koi hain jo bahut hi gusse me dur se dekh rha tha. Ye mr. Mahesh singhania jo ek bahut bade bussiness man hain. Ye thakur ram singh se bahut jalte or nafrat karte hain. Ek din ki bat jab divya bimar huyi thi to sehar ke ek bahut bade hospital me admit thi use khoon ki sakht jarurt thi lekin unke group ka khoon blood bank me nhi mila lekin kismat se thakur ram singh ka khoon unse mil gya to wo khoon dene ko taiyar ho gye the lekin unhe ye nhi pta tha ki ye hospital mr. Mahesh singhania ka hi hain jab use pta chala ye sab ke bare me to usne dono husband wife ko ek aisi injection dilwa di ki wo dono jindagi me kahi maa baap na ban paye.asal mr.mahesh singhania thakur se isliye nafrt karta tha kyunki thakur ne uske kayi gair kanoon dhandha jaise affim ki kheti ganja ki taskri bandook ki taskari etc band karwa diye the unke wajah se wo kayi bar police ke hath ane se bhi bacche.
Mr.mahesh jab dono bacchon ko ashirwad de rhe the tab wo bahut hi gusse me raja ke kan me kahta hain ki
Mr.mahesh-tere ankhon ke samne hi tumhare mata pita ko maar dalunga.
lekin us bechare mahesh ko ye nhi pta tha ki bagal me baithi nurja ye sab bate sun or dekh rhe thi uski ankhe ye sab sunkar lal ho jati hain or apne mind iska badla lene ki sochti hain.
Jashn dhum dham se manaya jata hian. sabhi pariwar wale thake hare apne apne kamre me jakar so jate hain lekin nurja jidd kar wo raja ke bagal me hi so jati hain. Adhi rat ko achanak nurja ki neend khul jati hain or wo chupke se ek jadui apne jaisa ek ladki ko bana apne jagah sula deti hain taki kisi ko mere bare me kuchh pata na chale or nhi koi adhi rat ko preshan ho.
Wo chupke se apne room se nikl kar chhat pr chali jati hain or wahan se gayab ho mr.mahesh ke ghar aa jati hain jahan use mahesh sota huya dikhta hain.nurja gusse me asli roop me akkar mahesh ko hawa me utha deti hain or hasne lagne lagti hain.
Nurja- tum mere pati ke mata pita ko maroge hahahahahhaha.. ab dekho tere sath kya hota hain.
Mr.mahesh ye sab dekh kar wo bahut dar jata hain wo apne hi pent me peshab kar deta hain.wo dara sahma huya puchhta hain.
Mahesh- tum kon ho? Maine tumhara kya bigada hain?
Nurja - kya bigada hain ye tum aram sochna. Filhal ye dekho ye kah kar
Nurja ek darwane jin ko bulati hain jise dekh kar mahesh sahm jata hain or dar kemare behosh ho jata hain.
Jab use hosh ati hain to wo ek pahadi pe khud ko pata hain jiske charo trf sirf ped paodhe hi hain.
Lekin tabhi wahan kuchh admi soldier ke wesh me aa kar use pakar kar use ek laboratory me chale jate hain.
Haan ye laboratory or kisi ki nhi un do scientist ki hain jo khatarnak experiment kar rhe the lekin unke ek experiment me ek insan ki maut ho gyi thi to unlogon ko ek admi ki jarurt thi. To unhe mr.mahesh mil gye aur wo firse dono scientist apna kam suru kar dete hain ye kahte huye ki.
Scientist 1- hum jaldi hi kamyab ho jayenge hahahahhahah.
Ramghar jungle me sardar ki wife malti pari ke janne se bahut dukhi rhne lagi thi or use yad kar rone lagti hain or khanan pina bhi lagbhag chhod chuki thi.
Ye sab dekhkar sardar se bardash nhi hota or apni wife ki ichha ko puri karne ke liye wo maa kali ke samne jakar insani roop mangta hai. Wo bahut sidat se pooj karta hain jisase prashan hokar chandika devi ne un dono ko ek insani roop pradan kiye. Wo dono husband wife khush ho kar thakur ki haweli ane lage or bhedhiyon ki kaman apne bafdar dost or bhedhiyon ke mantari ko saoup diye or chal diye thakur ki haweli ki trf.
Unhe pahunchne me jyada samaye nhi laga kyunki wo hain bhi to ek bhedhiyan wo log kuchh hi minute me thakur ki haweli ke samne pahunch gye . Wo log thakur ke janta darbar jo thakur ram singh hamesha apne bagiche me sam ko lagata tha wo dono bhi wahan pahunch kar thakur se kaam ke liye kahe jise thakur ne malti ko apne bacchon ke caretaker or sardar ko mali ki naukari di. Ye dono husband wife bahut khush ho gye aur khushi jakar apne bacchon se milne jaa pahunche. Wo dono pari or raja ko dekh kar bahut khush huye lekin wo
lekin wo log nurja ko pehchan sake or nhi nurja indono ko pahchan saki. Iske bad se wo dono apne apne kam lag gye apne bacchon ko ji bharke dekhne ke bad.lekin inko dekhkar nurja ko kuchh kuchh andesha ho jata hain. To wo apni sakti se indono kebare me janane ki kosis karti hain. Use jab ye gyat hota hainki wo dono sardar or malti hai. To apne telepathy se sardar or malti ko bhi apne bare me bata deti hain.ye jankar dono bhi bahut khush ho jata hain.
Dheeere dheere samaye bitata gya or teeno bacche bade hone lage lekin nurja raja ko ek pal bhi use nhi chhodti or pari bhi .nurja hi raja ko taiyar karti khana khilati apne hathon se jabtak raja nhi khata wo bhi nhi khati or uska chhoda huya khana bhi wo khati. Pari ka same hal wohi hain jab tak raja nhi khata wo bhi khati wo raja bahut pyar karti agar raja se koi glti hoti to nurja or pari wo galti apne upper le leti. Dheere dheere bacche bade hone lage jahan raja or pari 2 class me the wohi nurja 5 class me thi unka bachpan hasi khushi bit rha tha lekin ek din rja ke dada or dadi chal base uske bad se raja kafi roye or kabhi kabhi wo khana bhi chhod deta wo nhi khata lekin fir bhi nurja use jabardasti khila deti or nurja or pari use chup karati jab wo rota dada dadi ki photo dekh kar.us din se raja kafi bimar padne laga or wo kamjor bhi hone laga. Ye sab dekhkar sardar nurja se kahte hain.
Sardar - rani ji agar aisa rha to raja ka kya hoga ?
Nurja - main kya kar sakti hun sardar mere pass healing ki koi bhi magic nhi ati or nahi koi jin healing ke bare me janta hain .
Sardar - lekin kuchh to karna padega na.
Nurja - dekhte hain kya kar sakte hain jab tak ye 18 ke nhi ho jate hain inki tabiyat aisi hi rhegi. Lekin fikar ki koi bat nhi hain jabtak pari hain wo inhe thik rakhegi.
Sardar- hmm.
Raja ke bimar bar bar padne se family ke sab log prashen hone lage use kayi jagah or bade bade doctor se bhi dekhaya gya lekin wo thik nhi ho paa rha tha. Aise hi 15 sal bit jata hain ab raja ka wo samaye bhi agya tha jab use apni shakti ko hasil karna hoga .lekin?
 
Well-known member
1,167
1,335
143
Update 8

Lekin raja ke sath kuchh aisa huya jiske bare me kisi ne nhi socha tha. Chaliye dekhte hain kya huya.
Ab raja college jane laga usane 10 and 12 me pure state level pe top kiya wo bhale hi lakh bimar kyun pade usne padhai nhi chhori uske mata pita ne uski padhai ghar me karai or 10 and 12 exam bhi dilawaya.
Raja bahut handsome or sujha huya nek ladka or bahut samjhdar hain kab kahan kya bolna hain use bakhubi pta hain wo jab bhi khali ya thik rhta hain tab wo apne pita thakur ram singh ke sath baith jata hain or gaon ki preshani ko sunta or faisla bhi sunata hain uska faisla sunke koi ye nhi kahta ki wo abhi ek 19 sal baccha hain uske faisle se sab gaon ke log khush rhte or uski kirti dur dur tak failne lagi.

Raja part 1 - A LOVE STORY BEGINS

Aaj raja ka college ka first day hain or uski tabiyat bhi ab phle se behtar hain. Raja or pari same college same class or same subject liye kyunki pari ko raja ki or raja ko pari ki ekdusre ki chinta rhta wahin nurja graduation ki exam de chuki thi aur wo ab ghar me raja ke bare me dinbhar sochti or use rojana naye naye gift or surprise dene ke bare me sochti wo rojana raja ki favourite dish banati aur aaj bhi subhah ka nashta raja ka favourite bana tha is bat ko lekar hamesha uske pita kahte .
Thakur- are nurja beta kabhi humare liye yani ki humara favourite dish bhi bana diya karo jab dekho subhah se lekar rat ke dinner tak sirf raja ka favourite hota.
Nurja( sharma kar)- papa aisi bat nhi hain.
Divya- beta aaj tumhara college ka first day hain jyada sarart nhi karna .
Beti pari iska dhyan rakhna isko akela nhi kabhi nhi chhodna.
Pari- agar ye chahe bhi to bhi nhi ise nhi chhodungi.
Raja- mummy plz mujhe iske sath nhi rhna ye hamesha mujhe dantti hain.
Pari- tu waisa karta hi kyun hain.pta hain maa aaj jab ise subhah jagane gyi to mahasye kambal ke upar so rhe the fan on kar.
Raja - haan mujhe garmi lag rhi thi.
Pari- tujhe achhi trh se pta hain na ki teri tabiyat kharab ho jati hainRaja - ayi badi tabiyat wali (man me)
Nurja- raja jara ise chakh kar dekho teri favourite palak panir maine banaya hain.
Pari- haan bandar hi to ye sab khate hain hahahahhah. Khilawo khilawao apne ladle bandar ko hahahahha
Raja pari ko ghurne lagta hain.
Or pari raja ko jibh dikha deti hain.
Sab khana hasi mjk me kahtam karte hain. Uske bad nurja pari ko apne kamare me bulati hain.
Nurja -pari tumko or mujhe pta hain ki raja bahut jaldi bimar pad jata hain uska thoda dhyan rakhna.
Nurja- ji didi.
Iske bad raja or pari nicche ate hain jahan driver ramu kaka unka wait kar rhet the college le jane ke liye.
Car me baith kar dono college chale jate hain.
College pahunchkar dono ramu kaka ko gal pe kiss kar chale jate hain or ramu kaka muskura dete hai.or samaye yaad karne lagte hain jab khelte khelte thak har kar dono car me hi so gye the or jab jage tab dono ne mujhe gaal pe kiss kiye the. Uske bad se dono hamesha ramu kaka ko hamesha subhah subhah gaal pe kiss karte.
Uske bad ramu kaka haweli aa jate hain.
College me dono enter hi kiye the ki wahna dekhte hain ki kuchh senior ladke or ladkiyon ki ragging le rhe the ye dekhkar dono thoda ghabra jate hain or dheere dheere apne class ki trf badhne lagte hain lekin tabtak ek senior ki najar pari pe pad jati hain. Aur uske samne jakar khada ho jata hain or dono ko baki senior ke samne khada kar dete hain jitne bhi senior ladke the wo pari ko gandi najar se dekh rhe the or unhi me se ek neta ka beta bhi tha or uska baap collge ka malik bhi tha isliye usko koi kuchh bhi nhi kahta wo lagtar gandi najron se pari ko dekhte rhta hainjise dekhkar pari thoda uncomfortable feel karti hain or wahin raja ko gussa ane lagta hain uska gussa tab bandh tod jata hain neta ka beta jiska naam ravi hain.
Ravi - ye ladki tumhara naam kya hain?
Pari - (thoda ghbra or dar kar) ji pari singh.
Ravi - ab nach kar dekhawo.
Raja - wo nhi nachegi.
Ravi - tumse koi puchha .Raja - nhi lekin wo nhi nachegi uske badle me main nachunga. Ye bolkar raja nachne lagta hain.
Isko nachate dekhkar sab hasne lagte hain or wahin ravi ise apni bejati samjhta hain or gusse me.
Ravi- ab tum mujhe kiss karo.
Ye sunkar raja bahut gusse me ek lapd use mar deta hain kisi ko kuchh samjh nhi ata sab log kabji raja ko dekhte to kabhi ravi ko jamin pe gira pada hain gusse me ravi turant khada hota hain or apne doston se .
Ravi - dekh kya rhe ho maro be ise.
Iske bad jung chhid jati hain.
Ek ladka daute huye raja ke pass hath uthane wala tha tabhi raja ne uske hath ko pakd tod deta hain tabhi dusra ladka humla karne wala tha ki raja ne butterfly kick use marta or wo dur ja girta hain ye sab dekhkar ravi ke sabhi dost hockey stick le ate hain lekin tab tak wahan principle aa jate hain or samjh bujhkar jhagda ko sant karate hain.
Ravi apni bejati samjhta hain or gusse me raja ko bolta hain
Ravi- dekh lunga tujhe
Raja- dekhlena
Pari bahut khush ho kar raja ke gale lag jati hain or gal pe ek chhota sa kiss jad deti hain.uske bad dono class attend kartehain jahan kuchh khas nhi hota. Iske bad wo log haweli aa jate hain lekin pari ka pyar dheere dheere raja ke prati ghahra hote jata hain.or ab wo beintah pyar karne legti hain raja se. Lekin usko ye pta nhi ki wo ekmatr shakti hain raja ki.Update 9

Rat ko sab log dinner karte hain jahanraja ka favourite dish bana tha. Dinner ke dauran raja apne mata pita ko college me kya huya wo sab batatahain jisesunkar thakur ram singh or divya bahut gussa hote hai. Aur us neta ko phone laga us pr chikhte hain aur bechara neta.
Neta - sorry sir ab mera beta aisa kabhi nhi karega is bar ise maaf kar de.
Iske bad sabhi log dinner kar apne apne room me chale jate hain.
Jab nurja apne room me jati haintab usekisi ke hone ka ahsas hota hain.
Nurja - kon hain?
Ek jin nurja ke samne ata hain.
Jin- rani ji humare jinlok ke sima pr kuch kal ke sathi dikhe hai apko abhi jinlok chalna hoga.
Nurja - ( thoda pareshan ho) thik hain main kal subhah aa jaungi.
Iske bad wo jin chala jata hain or idhar nurja. Bahut pareshan ho jati hain. Kyunki wo raja se ek pl bhi dur nhi rhna chahti.
Aur idhar pari apne raja ke bare me sochte huye so jatihain.
Rat jaise taise gujrti hain or subhah hote hi nurja raja ke pass chali jati hain jahan use pari pahle sehi baithti dikhti hain.
Nurja - kya huya babu yahan abhi tk baithi ho raja ko jagaya nhi
Pari - dekho na didi ye sote huye kitne pyare lag rhe hain
Nurja - ye hain hi croron me se ek chal chhod raja ko jagakar nicche le aa
Phir pari ko jag deti hain or use fresh ho jaldi nicche bulati hain.
Nichhe pahunchkar raja sabko good morning wish karta hain uske nurja kahti hain
Nurja - papa main kuchh din ke liye shimla jana chahti hun mera trip hain.
Thakur - thik hain beta kab jana hain
Nurja - abhi 1 ghante me
Thakur- thik main abhi taiyari kar deta hun wahan tumhe koi dikt nhi hogi
Nurja - nhi papa iski koi jarurt nhi hain main khud chali jaungi
Thakur -thik jaisi tumhari ichha
Ye sab sunkar raja udas ho jata hain jise nurja samjh jati hain or use lekar apne room me chali jati hain.
Nurja - babu kuchh din ki hi to bat hain mai jald hi wapas aa jaungi
RajA-udas ho kar thik hain jao mujhe aapse koi bat nhi karni
Nurja - maan ja na agar tu kahega to nhi jaungi
Raja ko bahut samjhane ke bad raja mab jata hain. 1 ghante bad nurja wahan se nikl jati hai apni ek nakli nurja bana kar taki kisi ko kuchh shak na ho
Uske bad nurja wahan se gayab ho apne jinlok pahunch jati hain or samasya ka jayaza leti hai
Idhar scientist 1 chilate huye
Scientist 1 - mera experiment akhikar kamyab ho hi gya. Uth ja mere half demonLekin tabhi computer screen pe red sign ane lagta hain or wahan ek bisfot hota hain jahan sabhi log mare jate hain sirf us half demon ke . Half demon kon hain ye bad me pta chalega.
Or wahin patal lok me kal ki tapasya kuchh hi pl me safal hone wali hain or wo ek demon wait karne lagta hain kal ke uthne ka .
College ke second jab dono clg pahunchte hain to neta ka beta dono se dur rhta hain or kal ke liye sorry bol wahan se chala jata hain iske bad dono ka class attend karne ka man nhi karta to dono canteen me jakar kuchh khate hain uske dono clg bunk kar movie dekhne chale jate hain jahan ek romantic movie lagti hain
Raja ka dhyan movie pe tha to wahin pari ka dhyan screen pe kam raja pe jyada tha. Ye bat raja gour kar leta hain or bad me puchhne ka sochkar movie dekhne lagta hain.
Clg ke chhuti ke time dono clg pahunchte hain jahan ramu kaka unka hi wait karrhe the uske bad dono car me baith haweli pahunch jate hain.
Rat ko sabhi log dinner karte hain or apne apne room me chale jate hain
Rat ko pari apna mobile nikal usme naya sim laga raja ko call karti hain.
Call ring ki awaj sun raja call pick karta hain
Raja- hello
Pari- ji mujhe ek saheli ne ek dare comple te karne ke liye kaha tha ki main ankh band jiska bhi number dial karun unse thoda der bat karna hain
Raja - ye kya faltu sin bakwas hain
Pari - ji mujhe glt na samjhe bas main apni dosti sabit karna chahti hun.
Raja - to ho gyi dosti sabit aab rakhe phone.
Pari - itni bhi jaldi kya hai janab kya hum thoda der bat nhi kar sakte .
Raja - aisi koi bat nhi hain haan kyun nhi kar sakte .
Pari - to thik hain ek dare khelte hai. Main yahin se baith kar bata sakti hun ki apne kon sa dress pahan hai. Or kis colour ka hain.
Raja - impossiblePari- apne yellow ki tshirt or black payjama pahne hain.
Raja achmbhit hokar - apko kaise pta
Pari- hum jisase bhi dosti kar lete hai. Hum unke bare me bata dete hain.
Raja - waise tum bahut achhi nature ki lagti ho naam kya hain tumhara
Pari - ji main wo nhi bata sakti jab hum milenge tab sab kuchh bata denge apne bare me
Raja - to kab milenge
Pari - abhi to bat hi suru huyi hain abhi age or badh jane dijiye
Raja - ji apne thik kaha
Pari - waise apki gf hain
Raja - ji haan ek hain
Pari- ye sunkar thoda udas hokar kon hain
Raja - hmm hai. Uska namm pari hai.
Pari khush hokar - to ap usase pyar bhi karte hain
Raja - haan bahut jyada
Pari - to age ka kya plan hainn
Raja - abhi to kuchh nhi lekin pta nhi wo mujhse karti bhi hogi ki nhi
Pari - ek bar usase puchh le
Raja - thoda dar lagta hain
Pari - ladka hokar darte ho
Raja - kya karu jab aajtak koi admi aurat se jit na ska to hum naye jawan huye ladke kya kar lenge agar apke pass koi idea ho to bata dijiye
Pari - ek kam kariye uski fav koi chiz de dijiye jab wo khush ho tab use apne dil ki bat bata dijiye
Raja - thik hain iske bad wo log 2 ghante or bat karte hain or kal phir phone karenge kah kar so jate hain . Or tabhi kuchh aisa hota hain jiske bare me kisi ne kuchh socha bhi nhi honga?
 
Well-known member
1,167
1,335
143
Update 10
Idhar jinlok me nurja jab apne rajya ki halat me jankari le rhi thi tabhi wahan ek sainik ghabhraya huya ata hain .
Sainik - rani ji demon ne humpe hamla kar diya .

Nurja- kya ? Ab kaisi halat hain.
Sainik - rani ji ek or buri khabar hain kal ka senapati jise hum mara huya samjhe the wo bhi jinda hain or usne humlogon ko charo trf se gher liya hain.ab kya kare rani ji.
Nurja - jao pari lok me aur pariyon ki rani ko humari stithi ka gyan karawo.
Sainik - ji rani ji.
Iske bad wo sainik chala jata hain .
Lekin nurja ko kal ke senapati ke bare me soch kar chala jata hain.
Nurja- timbra kahan ho ? Mujhe apki awaskta hain.
Timbra ek bhayankar mayavi demon or raja ki bachpan ki friend bhi hain.
Timbra- ji rani ji mujhe yaad kiya.
Nurja - timbra jaise tumne humari jaan or jin lok ko kal se bachaya tha or kal ke senapati ko tumne mar diya tha.
Timbra - haan use maine inhi hathon se mara tha.
Nurja - lekin wo mara nhi wo abhi jinda hain.
Timbra chonkte huye - ye kaise ho sakta hain maine inhi hathon se use mara tha.
Nurja - sant ho jao timbra wo aaj jinlok pe hamla kar diya hai humari sahayta karo timbra.
Timbra chonkte huye -kya? Aaj use mujhse koi nhi bacha sakta hain.
Nurja - ruko timbra .
Timbra ko rok kar nurja use ek mirror ke samne le jati hai or use kal ke sena pati ko dekhati hain jo wo pahle se bhi kayi guna shaktishali lag rha tha.

Kal ka senapati jiska naam dhumketu

Dhumketu ko dekh timbra soch me pad jati hain aur use dekh apni ankho pe vishwas nhi hota hain ki kya ye wahi hain jise usne kayi vars pahle mara tha.
Timbra ko soch me duba dekh nurja use kahti hain.
Nurja - chinta na karo timbra maine pari lok apne sainik ko bheja hain wo jald hi pariyon ki rani sambhavi ka sandesh lekar aa jayega.
Unknown- aayega kya lo aa gyi
Nurja or timbra awaz ki disha me apna chehra ghumati hain jahan pariyon ki rani behad hi khubsurat najuk shakti se bharpur pari ki dress me muskurahat ke sath khadi hain
Nurja - sambhavi bahut ghor samkat aan pada hain humari madad karo
Sambhavi main usi ke liye to ayi hun ye lo timbra ise pi lo tum dhumketu ko mar nhi payogi lekin haan use hara dogi jarur bas tum apne aap pr bishwas rakhna lekin nurja mujhe tumse ek chiz chahiye
Nurja - kya kahti ho jo mera hain wo tumhara bhi to hai. Jo mangana hain dil khol kar mango
Sambhavi - waqt ane pr tumse wo chiz mang lungi.
Nurja - main wada karti hun ki agar tum mujhse jaan bhi mangogi to bhi main tumhe hashi khushi de dungi.
Sambhavi - thik hain ab jao or rajye ki surksha karo.
Iske bad jin or demon ke bich jang chhid jati hain or ye ladai bina ruke kayi din tak chalti jisme nurja ka sath pari desh ke log or timbra ke banaye mayavi sena bhi thi taki jin or pari lok ko kamse kam nukshan ho sake is prachand yud me nurja jit jati hain lekin usne apne kayi sathi isame kho baithi sath hi pari lok ka bhi yahi hal tha usne bhi apne kayi pari kho baithe.

Yudh ke paschat nurja timbra or sambhavi mahal ke baithak me baithi thi or age ka vichar bhi kar rhi thi.
Nurja - ab kya hoga ? Humne apne kayi log kho diye.
Sambhavi - jab dhumketu itna takatwar ho sakta hain to socho kal kitna takatwar ho gya hoga mujhe pta chala hain ki wo kabhi bhi apni tapasya se bhar aa ayega.
Timbra- bas ab ek hi rasta hai. Aur wo hain raja ki shakti ka gyan hona or use pana .
Nurja - uski shakti to alag alag samye me hain wo kaise alag alag samye me jaa sakta hain.
Sambhavi - hume guru dev se is bishye pe vichar karna hoga .
Nurja - tum sahi kah rhi ho . Hum aaj hi guru dev ke pass chalte hain .
Iske bad wo log guru dev ke pass jane ki taiyari karne lagte hain .
Idhar half demon yani ki mr.mahesh singhania ko jab hosh ata hain to wo khud ko nang avastha me pta hain .
Wo dheere dheere age badhne lagta hain use ek african admi dikhta hain to mr.mhesh uske jate hain or usase help mangate hain.
Mr.mahesh- plz help me
African- ye fatichar chal hat yahan se sarir pe dress nhi hain gandi nali ka kida .
Jise sunkar mahesh ko gussa ata hai. Aur uski ankhe lal ho jati hain lekin ye kya uski ankhon lal laser niklti hain jo samne khade african ko jala deti hain ye dekh kar mahesh khabra jata hain or wo bhagta huya nadi kinare pahunchta hain jab wo apna chehra dhone lagta hain to dekhta hain ki uska chehra pura badal gya hain or wo ghbra kar pichhe hat jata hain use apni ankhon pe vishwas nhi hota hain wo sochta hai ki ye koi sapna hoga wo ek chimti apne hath pe katata hai. Lekin use dard jara bhi mahsus nhi hota hain use kuchh samjh nhi ata or wo ek bar phir apne ap ko nadi ke pani me dekhta hain chikhne lagta hain lekin uske muh se aag niklne lagta hain ass paasss pedon ko jala deta hain jisase ag tezi se wahan fail jati hain or mahesh gusse me wo aag ko langhte huye jungle se bahar nikl jata. Hain jahan ek kabila dikhta hain or wahin use ek jagah kuchh kapde dikhte hain or use wo pahn kar africa ke main city ki or badh jata hain .
Lekin ye sab koi hain jo use dekh rha tha or mahesh ko dekh kar muskurane lagte hain.
Idhar pari or raja subhah uthkar sabko morning wish kar clg chale jate hain or wahan ek class karne ke bad canteen me baith jate hain jahan rajja pari ko ek gift dete huye kahta hain.
Raja - pari ye tumhare liye tum ise ghar jakar kholna or sam ko is pte pe aa kar milna.main tumhara intzar karunga.
Pari sharma kar - kya hain isme ?
Raja - plz pari ise ghar jakar kholna or is pte pr aa jana ek surprise hain .
Pari - thik hain thoda bhaw khate huye agar time huye to ane ki koshish karenge you know i busy all day
Raja - thoda masumiyat se - plz aa jana
Pari - ok .
Uske bad wo dono baki ki class karte hain or ghar chal dete hain .




To doston sambhavi kya mangegi nurja se ?
Wo kon hain jo mahesh pe mazar rakhe huye hain?
Ye guru dev ki pahchan kya hain?
Gift me kya hain jo raja ne pari ko diya or wo konse pte pe bula rha tha pari ko?
 
Well-known member
1,167
1,335
143
Update 11
Idhar teeno gurudev ke pass pahunch jati hain jahan gurudev yog sadhna me lin the ye wahi sadhu baba hain jo thskur ram singh ko mile the gurudev bina ankh khole hi kahte hain.
Gurudev - aao putri
Teeno - pranam gurudev
Gurudev - sada khush rho
Nurja- gurudev koi marg darshan karaye
Gurudev - iska upaye hain jhinjha grah.
Sambhavi - wo to brahmand ka sabse shaktishali grah hain
Gurudev - haan putri prantu is waqt wo gulam hain .
Nurja - ye kaise ho sakta hain us grah ko koi bhi hara nhi saka
Gurudev - ab wo grah durja grah ke raja jhingal ka gulam hain
Sambhavi - lekin wo to bahut kamjor tha wo kaise jhinjha grah ko hara sakta hain.
Gurudev - hara sakta hain putri agar kali shakti ho to jhingal ab kali duniya ka badashah or ye bhi ki wo kal ka bhai bhi hain
Nurja - kya? Kal ka bhai jhingal hain
Gurudev- haan putri.
Sambhavi - gurudev to jhinjha grah ke raja ka kya huya ?
Gurudev- wo ab gulam hain jhingal hain
Nurja-unki patni?
Gurudev - wo dharti pe hain.
Timbra - wo pregnant thi na gurudev ?
Gurudev - haan wo ek bacche ki maa bhi hain uska naam raja hain
Nurja - raja kaise ho sakta hain wo to bhedhiyon ke sardar ko nadi kinare mile the
Gurudev- kya tumne ye socha ki wo nadi kinare kaise kya tum uska janm ko lekar kuchh jankar hasil kar payi ?
Teeno- nhi gurudev.
Gurudev - aisa isliye kyunki uska janm ek aisi gufa me huya jahan koi shakti kam nhi karti.
Nurja - to gurudev raja ke mata pita kon hain?
Gurudev - raja jhinjh ka rajkumar hain jab uska janm ka samye najfik tha tab hi jhingal hamla kar diya achanka huye hamle jhinjh grah sah nhi paya or wo har gya prantu raja ne kisi trh apni patni ko us gufa me pahuncha diye the jab jhingal ko us gufa ke bare me pta chala tab wo gufa me dhakil huya lekin rani kisi trh wahan se bach gyi aur wo dhsrti pe pahunch gyi or raja ko bachane ke liye usne raja ko nadi me kathori me rakhkar chhod di thi or wo wahan se bhag gyi lekin jab usne jhingal ko dekha to usne ek insani bacche ko god le li jise jhingal rani ka baccha samjh kar use mara dala or rani ko bandi bana jail me dal diya . Ab raja ko kisi bhi trh jhinjha pahunch kar us mani ko hasil karna hoga jo jhingal ke dimag ke andar hain.
Nurja - lekin raja ko abhi uski shakti ka bodh nhi huya hain?
Sambhavi - bina sakti wo kuchh nhi kar payenge
Timbra - or uski maha shakti pari hain
Gurudev - uski chinta na karo use apni mahashakti jald hi mil jayegi beti nurja ab tum wapas raja ke pass jao or wahan jakar pari ko raja ke bare me sab kuchh bta dena
Nurja - ji gurudev
Gurudev - jab raja wo mani hasil kar lega tab wo kisi bhi samye me jaa sakega.
Uske bad teenno gurudev ko pranam karti hain or chal deti hai. Wahan se gurudev teeno jate huye man me kahte hain.
Gurudev- timbra or sambhavi tum dono ki manokamana puri ho
Dosto. Gurudev kis manokamana ki bat kar rhe hain?
 
Well-known member
1,167
1,335
143
Introduction
Thakur ki family me
Pita - thakur charan singh
Mata- sita devi
Brother- rakesh singh
Unki wife - sarita devi
Inki do beti
Badi beti - suman
Inke pati - sanjay
Chhoti beti - subhadra
Inke husband - nitesh

Mr.mahesh singhania - half demon
Kal- demon
Ramu kaka driver
Timbra - demon raja's friend
Kal ka senapati - dhumketu
Pariyon ki rani - sambhavi
Jhingal - kal brother or durja grahh ka dust raja
Jhinjha grah - raja's home
Raja mother - devika
Raja father - suntaru
 

Top