Fantasy Ron~the dragon holder (completed)

Well-known member
1,167
1,335
143
Update-9
"Ron-mujhe samundar ka SHIKARI yun hi nahi kahte..ab mera khubsurat chehra dekhne ke bajay,yadi in dragons ke badsurat chehre dekhoge toh shayad zinda bach jao..hamla karo re ,in badsurato par..
sabhi apne apne hathiyar lekar dragons ka intezar karne lage..saamne kohra chhane laga..usi kohre ke andar se kayi prakar ki kaanfadu awaaj aayi..
"Raaj-ye banda kaun hain,.aur ye itna mahir kaise hain..
Captain Nair wahi khasa apne hathiyar ko dragon ki disha me taane hue tha..
"Nair-kya khak mahir hain..dhoke se mujhe balladonna ke neeche giraya tha..kamina kahi ka..aage in dragons se mil loon ,phhir is samundar ke Shikari ka kaam tamam kar dunga..
"Raaj-samundar ka Shikari,aur ye ,Raaj hasne laga..
"abey daant kyun dikha raha hain..maine toh wahi kaha jo wo bolta rahta hain.."
"phhir toh main is behrupiye se jaroor milunga..jo mera naam lekar logo ko bewkoof bana raha hain.."
"abey gun toh le le,warna in dragons se tujhe kaun bachayega.."
Raaj apne chehre par ek smile late hue bola"in dragons ko mujhse kaun bachayega ,iski chinta karo.."Raaj wahi pass me pade ek rod ko uthakar Ron ki taraf badh chala...
"kaise ho samundar ke shikari..."Raaj ,Ron ke kandhe par rakhte hue kaha..Ron peechhe muda...Raaj ko dekhkar wo sochne laga ki ye kaun hain..jab Ron ,Raaj ko nahi pahchan paya toh apni bandook ko Raaj ki taraf karte hue bola..
"tu kaun hain be..tujhe kabhi dekha nahi..shayad 3rd class me rahta hain..door chal mujhse.."
"chup ho ja behrupiye..warna ye rod tere pet ke aar paar kar dunga.."
Raaj ke dwara behrupiya bolne par Ron apne chehre ko chhune laga..
"ankh ka ilaaj karwa..mere chehre par koyi mask nahi hain..aur tu hain kaun..mere khayal se tu mera prashanshak hain.."
"Ron name hain na tera ,toh sun waise mera naam Raaj hain..lekin log mujhe Samundar ka shikari kahte hain.."
Ek taraf dragons ki toli Balladonna ke karib aa rahi thi..wahi dusari taraf Ron aur Raaj ki bahas jari thi..
"Ron-mujhse toh bol diya..par kisi aur se mat kahna..warna jaan se maar denge...jaan se marana tere bas ka khel nahi hain..beharupiye.."
"beharupiya..mera nam ,sunkar maja nahi aaya.."
"chal samne se hat beharupiye..aaj tujhe dikhata hoon shikar kaise karte hain.."
Ron samne se hat gaya..ek dragon teji se ship ki taraf aa raha tha..Raaj ne apne hath me pakdi hui rod ko us dragone pe nishana laga kar phenk diya..sabhi Raaj ke nishane ko dekhte rah gaye..Raaj ke dwara phenka gaya Rod dragon ke mu me ghus kar uske sharir ke aar paar ho gaya..
"Ron-kya khak shikar kiya hain..aisa shikar toh is jahaj ka Captain Seth bhi kar deta hain..Nair ,Seth ke nam ke aage Balladonna ka Captain shabd sunkar gusse se Seth ki taraf dekhta hain..seth ,Nair ke pass aata hain..
"Seth-Captain aap ,uski baaton me na pade..aap yaha se gayab the,isliye riya mam ne mujhe Captain bana diya tha..
"Nair-yar main iske liye gussa nahi hoon..us jungali ne teri insult ki isliye.....Captain Nair ki juban ruk gayi ,usne apne hath se samne ki taraf ishara kiya.."oh my god..ye kaisa bhayankar najara hain..ye dragon toh bahut bada hain.."
sabhi samne ki taraf dekhne lage..laal rang ka dragon jiske samne Balladonna bhi chhota lag raha tha..aur us dragon par baitha hua ek kala saya..jiske hath me ajib tarah ka farsha tha..sabhi ship ke andar bhagne lage..
"Ron- ruk jao be..daro mat is kallu se..
Ron ki awaj sunkar us dragon par baitha hua kale saya ne apne gardan Ron ki taraf ghumayi..uski ankhe laal ho gayi..usne apne farshe ko kaskar pakad liya aur upar uthaya..wo saya aage kuch karta isse pahle hi Ron ne apni bandook uski taraf taan kar kaha..
"abey oye chaparganju kallu..aram se ye bandook dekh raha hain..ye wahi bandook hain ..yaad kar.."
Us kale saye ne apne farshe ko neeche kiya..aur ek jordar awaj me dahada...
"Captain The Ron ,is baar tujhe main is samundar me dafan kar dunga warna mera nam samundar ka shikari nahi..."
"Riya-ek aur shikari..pata nahi aur kitne aayenge aur apne aap ko samundar ka shikari batayenge..
"Ron-janeman,uski baat ka bura mat mano..ye kallu jhoot bahut bolta hain..tum pahle ki tarah mujhe hi shikari mano..jiska proof main abhi is farshe wale ko uda ke dikhata hoon..abey kallu bhag yadi bhag sakta hain toh"Ron ne apni bandook ko fyre kiya..lekin uski bandook se wo aag nahi nikli jisne ab tak kayi dragons ko ko jal samadhi lene par majboor kar di thi..Ron ne kayi baar koshish ki par uski bandook pahle ke tarah hi shant rahi..Ron ne us saye ki taraf dekha..
"m..m...maaf karna kallu ji,,lagta hain barood khatam ho gaya hain..aapki ijajat ho toh main barood le aau,."
Wo saya asman ki taraf sar karke dahadne laga..Raaj ,Ron ke pass gaya..aur uske kano me bola..
"bye the ocean's hunter The Ron..sabse pahle ye tujhe marega.."
Us saye ne apne farshe ko kandhe par rakh liya..aur Aditya ki taraf farsha karte hue bola.."main toh iske liye yaha aaya tha..lekin mujhe mera purana shikar Captain The Ron bhi mil gaya..aaj mere sathi dragon tum sabko kachcha chaba jayenge.."
Us saye ne jaise hi bolna band kiya dragons ke ke kafile ne Balladonna par hamla bol diya,dragons balladonna par maujood logo ko seedhe kachcha chabane lage..Ron apni bandook liye ship ke ek kone me jake baith gaya..
"ye kallu aaj apna badla pura karega..kaise bachu ..kaise bachu..Ron abhi tak dhang se soch bhi nahi paya tha dragon pe baitha hua wo saya Ron ki taraf kud gaya..us saye ko apne samne dekhkar Ron ne apne jeb se botal nikali aur peene laga..
"tujhe apni maut ka dar nahi..aaj tera vinash kar dunga main.. "
"wo kya hain na kallu ki jab main kisi ko jaan se marta hoon toh uske pahle sharab jaroor pi leta ,kisi ne kaha hain ki marne wala narak me jata hain...taiyar ho ja kallu tere baki ke sathi narak me tera intezar kar rahe hain....................continue.............
 
Well-known member
1,167
1,335
143
Update-10
"wo kya hain na kallu ki jab main kisiko jaan se marta hoon toh uske pahle sharab jaroor pi leta hoon,kisi ne kaha hain ki marne wala narak me jata hain...taiyar ho ja kallu tere baki ke sathi narak me tera intezar kar rahe hain..itna kahkar Ron waha se bhag nikla..
"teri yaddasht ke liye bata du..mera nam Morgan hain.."
"kallu me kya kharabi hain..ye nam tere badbudar kapde se bahut milta bhi hain.."itna kahkar Ron waha se bhag nikla..""darpok kahi ka.."Morgan bhi uske peechhe bhagne laga...Ron bhagte bhagte Captain Nair ke pass pahuncha..
"Ron-Captain Nair ek yatri aapko gali de raha tha..
""kaun wo baddimak..nam batao uska.."
Ron ne peechhe ki taraf ishara kiya..jaha Morgan apne farse par hath phhirate hue aa raha tha.."Ron aaj tu marega..buri maut marega.."
Ron ,Nair ko Morgan ki taraf dhakka de deta hain..Nair Morgan se takra gaya..aur usi ke upar gir pada..Ron waha se phhir khisak liya..
"bevkoof main tujhe dragon ke samne kachcha chaba jaunga.."Morgan ne Nair ke gardan ko daboch liya..aur hawa me uchhal diya..ek dragon jo balladonna ke karib tha..usne Nair ko daboch liya..
"Ronnnn"Morgan ki dahad pure vatavaran me ek baar phhir gunj uthi..Morgan ke samne jo bhi aata wo use apne farse se buri tarah kat deta..Morgan ke khaufnak darindagi ko dekhkar balladonna me maujood har shaks kanp gaya..riya apne hath me gun liye dragon par hamla kar rahi thi..Raaj uske pass aaya..
"gun achchha chala leti ho,kaha se seekha.."
"bachpan me policewale ka revolver chheen liya tha..aur masti me usi ke sar ko uda diya..ummid hain dobara ye sawal nahi puchhoge..ab jao yaha se,mujhe apna kaam karne do.."
Raaj ,apna chupchap waha se khisak liya..aur anjane me hi Morgan uske samne aa gaya..
"is kambkhat ko abhi hi aana tha.."Raaj wahi khada ho gaya..Morgan ne Raaj ke gale ko nishana banakar apna farsa chala diya..Raaj neeche jhukkar bach gaya..aur Morgan ka pair pakad kar use dhakka de diya..girte girte Morgan ne apna farsa Raaj ke peeth par chala diya..farsa Raaj ke peeth me dhans diya..Raaj wahi ludhak gaya..balladonna me maujood kisi ki najar Captain Nair par padi..jo dragon se apne life ke sangharsh kar raha tha.."Captain Nair ko dragon ne pakad liya hain ,koyi bachao unhe.."
dragon ka hamla abhi bhi jaari thi,dragons balladonna me maujood adhe logo ko apna shikar bana chuke the..Aditya ne Nair ko musibat me phansa dekha.."le sale mujhse panga lega..ab gaya kaam se "Riya ,Aditya ke pass aayi..
"Captain Aditya..tum Nair ko bachane ki koshish kyun nahi karte.."
"mujhse panga leta hain..aaj usko maloom chalega ki ,Captain Aditya se panga lene walo ka kya haal hota hain.."
"Aditya yadi tumne Captain Nair ko bacha liya toh..balladonna ke Captain tum rahoge.."
"sach ,phhir toh is dragon ki maa ki ankh.."Aditya daudte hue gaya..aur apni gun ki disha dragon ki taraf kiya..
"abey goli dragon ke ankh me chalau ya Chak me..main confuse hoon.."
"ye kya bak raha ho.."Riya boli..
"sorry mam,aap hain ,maine socha koyi aur hain..aap dekho kaise is dragon ka main khatma karta hoon.."
Nair dragon se abhi bhi lad raha tha..dragon ne apna sar jhadka ,Nair achanak hue is jhatke ko jhel nahi paya aur girne laga..aur girte hue Nair ne us dragon ka pair pakad liya..
"Riya- Aditya jaldi nishana lagao..
Aditya ne nishana toh dragon ki ankh me lagaya,lekin dragon usi samay upar ki taraf udne laga..goli seedhe jakar Nair ke pair me lagi..
"Nair-salo tum logo ki ankh hain..dragon ki Chak..mujhpe goli chala rahe ho..
Aditya waha chup chap khada tha..tabhi uske kandhe par kisi ne hath rakha..
"hath hata be..warna is puri goli tere bheje me ghusa dunga.."Aditya ne uska hath jhadak diya..lekin usne phhir apna hath Aditya ke kandhe me rakha.."teri toh" Aditya pichhe muda,.uski ankhe phhati rah gayi..samne Morgan khada tha..Morgan ne seedhe apna farsa chalaya..Aditya peechhe hat gaya..lekin Morgan ne uske pet par ek laat maar di..Aditya balladonna se neeche gir pada..Morgan ko rokne ke liye bahut log aaye..lekin Morgan ne sabke gardan kat kar us sabko dharasayi kardiya...Riya ke pass ab ek hi rasta tha..Ron..wo Ron ko pukarne lagi..Morgan ne Riya ki awaj sunkar apna farsa rok diya..Morgan kisi ko marne ke liye apna farsa chalane wala tha..jab riya ki awaj uske kano me padi..
"teri gardan ka khoon baad me piunga,."Morgan waha se riya ki taraf chal pada..Morgan ko apne taraf aata dekh Riya kanpne lagi..Morgan riya ke karib badh raha tha ,tabhi waha Ron pahunch gaya..aur Morgan par apni bandook taan di..
"Ron-ruk ja be kallu..nahi toh aaj jal kar samundar me bhagna padega..

Morgan ,Ron ki taraf ghuma.."khali bandook chalayega.."
"abhi maine isme barood bhar diya hain.."Ron ne apni badook chala di..Morgan ka shrir aag ki lapto se dhak gaya..Ron ne Morgan ke pichhwade ko nishana banakar pass pada rod uthaya..aur de mara,
"Morgan-agli baar tu nahi bachega ..Morgan balladonna ke neeche kud gaya..Ron apni kamar me rassi bandhi aur ek chhor ko us dragon ki taraf phenka ,jisse Nair latka hua tha..rassi us dragon ke lambe lambe nukeele dant me phans gaya..
""palat gaya pasa.."Ron balladonna se kud gaya..Ron ke vajan se dragon ke daant me dard hone laga...Nair ka hath chhutne wala tha..Ron rassi ke sahare chadta hua..upar jane laga..dragon ki halat kharab ho chuki thi..Ron ne rassi ko chhodte hue ek jump lagaya..aur seedhe dragon ke gardan ko pakad kar latak gaya..
"Ron-dragon ki taraf jahaj ko ghumao..
dragon ab wapas jane laga tha..balladonna bhi dragon ki taraf full speed me badh raha tha..jab balladonna dragon ke thik neeche aa gaha toh Ron ne apni kamar me phansi hui badook nuikal kar apne hath me le liya..
"bayi taraf ghumao..."Ron ne kaha..
"seth-pagal hain kya..wo dragon ship se takra jayega..
"Riya-bayi taraf ghumao...
Riya ke kahne par ship ko bayi taraf ghuma diya gaya..Nair ship se takra gaya aur balladonna me gir pada..sabhi ab Ron ki taraf dekhne lage..
Ron chahta toh dragon se neeche kud sakta tha..lekin wo dragon par hi chadha raha..tabhi use samundar me tairta hua Aditya dikha..
Ron neeche kud gaya..aur samundar me girne laga..girte samay Ron ne apni bandool se dragon par fyre kar diya..dragon aag ki lapto me sama gaya..sabhi dragon ko jalte hue dekhne lage..
"abey salo mujhe upar kaun khinchega.."sabhi ka dhyan tuta ,sabhi balladonna ke neeche dekhne lage..Ron apne kandho par Aditya ko tange hue tha..
"abey rassi neeche phenko ,samundar ka pani bahut kharab hain..is sale dragons ka khoon mix hain yaha,,aur main shakahari hoon.........................continue...............
 
Well-known member
1,167
1,335
143
Ron aur Aditya upar aaye..Upar Nair apni tang ko sahla raha tha..kuch log uske pair me dawai laga rahe the..Aditya upar aate hi ship par let gaya..
"Ron-lagta hain tune bahut ki mehnat ki aaj ke jung me..
"Aditya-thanks yar..yadi aaj tu nahi hota toh main toh gaya tha kaam se..
Riya bhi wahi khadi thi..tabhi Seth ki nazar Raaj par padi..Raaj ke peeth se khoon risna band ho chuka tha..aur wo uthne ka prayas kar raha tha..
"Ron-ye abhi bhi zinda hain..Ron ,uski taraf badh chala..aur raaj ko apne hath ka sahara dekar uthaya..
"kyun samundar ke shikari,,ek war me hi dher ho gaye.."
raaj ne Ron ka hath jhatak diya.."Ron,aaj ki jung jeetne ke baad tune koyi bada kaam nahi kiya..aise hamle se mujhe niptana mujhe aata hain..."
"phhir toh Morgan ko tu akele hi hara dega..he..he.."
Ron hanste hue waha se chala gaya..Raaj apne kandhe ko pakad kar chalne laga..Riya ne seth ko sahara dene ke liye kaha..
"Seth-wo jungali kya bol raha tha..
"Raaj-usko main chhodunga nahi,mera majak uda raha tha..
"wo hain hi aisa..yadi uske hathiyar hume mil jaye toh phhir wo kisi kaam ka nahi.."
"main launga uska hathiyar..phhir us sale ko usi ki bandook se jala kar rakh me tabdil kar dunga.."
Raaj ko seth apne room me le gaya..aur uske kapde utar diye..
""tum zinda ho ,ye bahut ajib hain.."
"ajib to mere peeth par bana wo nishan hain ,jo mujhe kabhi marne nahi deta...main thik hoon,ab tum ja sakte ho.."
Riya,kuch der pahle hue hamle se tabah apne ship ko dekh rahi thi..Ron uske pichhwade par hath mar bola.."kya soch rahi ho janeman,ab bhi samay hain..mujhe Captain bana do.."
"Ron...tumne aaj bahut bahaduri dikhayi,,thanks"
"shukriya bolti toh jyada achchha rahta..waise aaj raat ki kya mahol hain.."
"abhi in sab ke liye vaqt nahi hain Ron,Morgan phhir se aa sakta hain..hume taiyar rahna hoga.."
"ummmm..abhi wo kuch dino ke liye nahi aayega..tab tak hum log Atlantic paar kar chuke honge..aur devils triangle ke bahut karib honge...waise tumhe devils triangle me chahiye kya.,"
"ok Ron ab main tumhe bata deti hoon ki devils triangle me hum kyun ja rahe hain..devils triangle ke pass jane ka humara maksad samundar me dafan beshumar khajane ko pana hain..tum soch bhi nahi sakte ke kitna maal waha dafan hain.."
"hmm us maal ka toh maloom nahi..par ek mast maal mere samne hain.."Tabhi Ron ke kandhe par kisi ne hath rakha..wo Captain Nair tha..uske sath me Aditya,seth aur Raaj bhi tha..
"Ron-mujhe maloom hain,tum charo mujhe shukriya kahne aaye ho..koyi baat nahi sab chalta hain..
"Nair-shukriya toh hum bahut achchhe tareeke se ada karenge tera..Raaj iska shukriya karna tih zara..Raaj ne bandook Ron par taan di..ship me maujood sabhi log us nazare ko dekhne lage..
"Ron-abey ye meri bandook hain..koyi khilona nahi..
"Raaj-tujhe main teri hi bandook se marunga,,
"Aditya-abey pagal ho gaye ho kya..usne hum sabki jaan bachayi hain..
"Ron-Aditya sahi bol raha hain..ye kya dhoke baji hain..
"Riya-Ron..sorry Samundar ka Shikari The great Ron..ab kya karoge..ye sab humara hi plan tha..tumne hume nahi bachaya..tumhari bandook ne hume bachaya..
"Ron-meri itni tareef sunkar mujhe rona aa raha hain..lekin kya karu ye kambhakt ansu aate hi nahi..Riya darling mujhe gale laga lo..
"Raaj-chup be,aaj tu gaya kaam se,Captain Nair aap bolo toh abhi bhoon du ,is namurad ko..
Ron-ruko,marne se pahle marne wale ki akhiri wish puchhi jati hain..uske bare me kya irada hain..
"Nair-chal jaldi bol..teri wo behudi wish kya hain..
"Ron-meri wo akhiri wish hain ki main door se ek baar tum sabko thik tarah se dekh loon,taki agle janam me tum sabse apna badla le saku..Ron ki baat sunkar sabhi hasne lage..
"Riya-dekha Ron,main bhi shikari hoon..jao aur dekh lo hum sabki shakl..
Ron dheere dheere aage badhne laga..Aditya ko sabka behaviour achchha nahi laga..Ron chalte chalte ruk gaya..aur pichhe palatkar bola..
"tum log ke pass akal kami hain..mujh jaise shikari ko ek wish de dali..aur tu sun be labarganju.."Ron ki baat sunkar Nair dusari taraf dekhne lage..
"abey tu hi Captain Nair..balladonna ka captain kya,tu toh ek chhoti naav ka navik bhi banne layak nahi hain..aur Aditya tune hi mujhe in sab dhokebajo me support karne ki koshish ki..main tujhe murdo ke jahaj me sair karne ka muaka de sakta hoon..lekin iske liye tujhe mere sath is samundar me kudna padega.."
"Riya-raaj ,jaldi se bhoon do,is kamine ko..Raaj ne bandook chalaya lekin uske pahle hi Ron samundar me kud gaya...Aditya bhi dusari taaf se samundar me chhalang laga di,,Raaj daudkar balladonna ke kinare aa gaya ..aur Ron par nishana lagane laga...lekin Ron tab tak unke pahunch se bahut door ho chuka tha..
"hum kaha aa gaye..aur ye kaun si jagah hain.."Aditya ne apne samne iceland ko dekhkar Ron se puctujhe ye puchhna chahiye tha ki hum yaha kyun aaye hain...chal sab maloom chal jayega..ye hain pallora..yaha ke baare me kuch khas toh nahi maloom par itna maloo hain ki yaha ki ladkiya bahut haseen hain.."
"are wah tu toh bilkul apun jaisa hain..khoob jamegi apni.."
"main tere jaisa hoon..chal be ,tu mere jaisa hain.."
Aditya kuch nahi bola..Ron aur Aditya iceland ke andar aa gaye...
******************************
Balladonna me Captain Nair,Seth,Riya aur Raaj Ron ke room ki taalashi le rahe the...unhe Ron ke bandook me use hone wali barood bhi mili..
"Riya-Ron ,is sabak ko zindagi bhar yaad rakhega..wo bina bandook ke kisi kaam ka nahi..
"Nair-mam ,usne toh aaj samundar me jal samadhi le li..warna us kutte ko main bhoon deta..
"Riya-ab chhodo Ron ko..aur balladonna ke bare me socho..lagatar dragons ke do hamle se is ship ki halat kharab ho chuki hain..
"Nair-aap uski fikar chhod dijiye..hum sab milkar balladonna ko sudhar denge,...
seth abhi bhi Ron ke room ki talashi le raha tha..wo Ron ke bikhare hue kapde ko check karne laga..tabhi un kapdo me se ek kagaj ka tukda wahi neeche zamin par gir gaya..seth ki nazar us girte hue kagaj ke tukde par gayi..
"seth-ye kya hain..."seth ne us kagaj ke tukde ki taraf ishara kiya..Raaj us tukde ko uthakar dekhne laga..
"asambhav hain ye,,."
"Riya-kya hain raaj is kagaj ke tukde ke andar,..
"yadi main sahi soch raha hoon toh ye prachin jamane ka ek Naksha hain..Martin nam ka ek raja ne is samundar ke sabhi bhago ka Naksha banwaya tha..is tarah ke keval teen Nakshe the..pahla mere hath me hain..dusara Morgan ke pass hain..jo usne Morgan se chheen liya tha..aur teesara,."
"Riya-aur teesara kaha hain..
"teesara Naksha sabse important hain..jo khud Martin use karta tha..kahte hain raja Martin ke pass ek adhbhud jahaj tha..jise wo yuddh me upyog karta tha..lekin ek samay baad sab kuch khatam ho gaya..king Martin ki saltanat tabah ho gayi..uske jahaj ko bhi chheen liya gaya.."
"Nair-ek min. Tu hum sabko kya ye feki story suna raha hain..
"ye sach hain Captain Nair,.Martin ka rajya asliyat me tha.."
"he..he..ye sach hain toh phhir ye bata ki Tere us Martin ka wo ship kaha hain is vaqt ..."
"jaisa ki maina suna hain,.Martin ke rajya ko tabah karne ke baad Martin ko zinda kabra me dafna diya gaya,,aur jin logo ne ye kaam kiya tha wo log Martin ke ship the Spiritual ko lekar waha se nikal pade..lekin un logo ko ye maloom nahi tha ki..the spiritual ship Martin ke us Nakshe se chalti thi,,jo ki gumnam ho chuka hain..spiritual ship me maujood ruh ne us jahaj ko samundar me dafan kar diya,,"
"Riya-bahut kuch jante ho..samundar ke baare me..
"Raaj-mujhe samundar ka shikari yun hi nahi kahte,,,,..............continue........,.hha..
 
Well-known member
1,167
1,335
143
Update-13
"Ron-abey tune aisa kya kiya tha..jo wo genda teri jaan ka dushman ban gaya..

"Aditya-maine toh keval ek ladki ka doodh dabaya tha..
"tab toh sukra mana jaan bach gayi..pallora me chuchiya ko dabana apradh hain.."
"maloom nahi tha mujhe ,sorry yaar.."
"ab chal,kinare par aaj ki raat gujarenge ,..teri vajah se khana bhi nahi kha paya.."
"sorry bol toh diya Ron,ab kya karu.."
"samundar se machhali tu pakad kar layega..'
"abey pagal ho gaya hain kya..itni raat ko..samundar ne kahi mujhe nigal liya toh.."
"samundar bhooka nahi hain be..uska pet toh hameaha bhara rahta hain.."
Ron aur Aditya kinare par aa gaye..raat me chand ki halki roshani se samundar ka paani aur aas-pass ka vatavaran me ek khubsurti samayi thi..
"Aditya-yaha bahut thund hain..sala subah tak toh akad kar lakadi ban jaunga...
"Ron-chal phhir tujhe jala kar subah ke khane ka intezam ho gaya..so ja..asman ko dekhte hue..neend me bhayankar sapne nahi aayenge...
******************************
Balladonna ki halat kafi sudhar chuki thi...balladonna samundar ko chirte hue tej gati se aage badh raha tha..Riya bahar samundar ke thandi thandi hawao ka maja le rahi thi..Riya ki najar Raaj par padi..wo Ron ke Nakshe ko dekh raha tha..
"Riya-kya dekh rahe ho ,Raaj..kuch kaam ka hain ye Naksha..
"Riya ji..is Nakshe ke anushar Atlantic ocean ki seema ko paar karne ke pahle do iceland padenge.."
"toh kya hua.."
"ek iceland death iceland hain..king Martin saltanat wahi thi.,aur wahi hume wo teesara Naksha milega..par is samay mere man me ye sawal hain ki balldonna usi taraf badh rahi hain ..lekin kyun..iska jawab aap hi mujhe de sakti hain.."
"ab lagta hain mujhe sab kuch batana padega..real me main The spiritual ship ,aur Martin ki puri kahani janti hoon..aur main spiritual ship ke us beshumar khajane ke liye hi ye sab kiya."
"hmm..toh ye puri kahani hain..lekin aage ek pallora nam ka iceland aane wala hain..uske baare me kya khayal hain..balladonna ko kuch der ke liye waha khada kar sakte hain.."
"abhi main Captain Nair ko bol deti hoon.."
Riya ne jakar Nair ko ship rokne ke liye bol diya..pallaro iceland dikhne laga..sabhi balladonna se neeche utarne lage..
"Nair-yar seth yaha ship rukwane ka kya matlab..maloom nahi ise kya sojhata rahta hain..
"Seth- Captain, hum keval uske adesh ka palan kar sakte hain..aur waise bhi ye koyi buri jagah nahi hain..bahut dino baad zamin ko chhua hain..
"baat toh teri bhi sahi hain..chal ab chalte hain.."
******************
 
Well-known member
1,167
1,335
143
subah ho chuki thi..Ron aur Raaj ek chhoti si naav churane ke firak me the...isliye dono kuch logo se puchh kar naav banane wale karigar ka pata le rahe the..
"wo samne wala ghar hain"pallora me rahne wale ek shaks ne karigar ke ghar ke taraf ishara karte hue kaha..
"Ron-chal ,Naav ka intezam ho gaya..
"lekin hum churayenge kaise..kahi us gende ki tarah kisi ne dhulayi kar di toh.."
"maar khane ke liye hi toh tujhe laya hoon..."
Aditya chup hokar Ron ke peechhe chalne laga..dono peechhe se us karigar ke ghar me ghuse..
"Aditya-yaha toh kuch dikh hi nahi raha hain..
"Ron-dekh kar kya karega..ye toh aur bhi achchha hain..jaldi se naav uda le chalte hain..
dono andhere me aage badhne lage..lekin Raaj ka pair kisi chiz se takra gaya..aur kisi chiz ke girne ki awaj bahut tej hui..andar se kisi ke khasne ki awaj aayi..
"Ron-abey dekh ke nahi chal sakta..
"dekhne ke liye light bhi toh honi chahiye..ab pair takra gaya toh main kya karu.."
"chal chup ho ja koyi aa raha hain,,."
"Aditya-isko pel ke naav leke nikal lete hain..kisi ko maloom bhi nahi chalega..
"Ron-khayal bura nahi hain..tu ja usko sambhal main Naav dekhta hoon.
"mil ja ..mil ja..ye naav kaun se kamre me rakha gaya hain..Ron andhere me maav ki talash kiye ja raha tha..tabhi use pass ke kamre me mashal jalti hui dikhayi di..Ron ne chupke se jhank kar kamre me dekha..kamre me keval mashal jal rahi thi..waha koyi nahi tha..
"achchha mauka hain..Mashal leke dekhta hoon.."Ron ne waha se mashal uthayi aur naav ki talashi karne laga..
idhar Aditya ko kisi ke kadmo ki awaj saaf sunayi de rahi thi..Aditya ek kone me jakar chhup gaya..jo bhi Aditya ki taraf badh raha tha uske hath me bhi Mashal thi..Aditya kone me chhupa hua tha,,isliye us shakas ne Aditya ko nahi dekha ..aur aage badh gaya..Aditya daud kar peechhe se uska gala pakad liya..
"jyada chalaki ki toh bhoon ke rakh dunga..tum mujhe jante nahi.."
Wo shaks kud par hue is achanak hamle se hadbada kiya..aur uski jeebh ladkhadane lagi..
"k..k...kaun.. Hain.."mujhe nahi pahchana..main hoon great Samundar ka Shikari The Ron..."Aditya ne Ron ke andaj me bolte hue kaha..
"shikari..meri jaan baksh do.."
Aditya sochne laga ki ye sala kitna bada fattu hain..aise hi dar gaya..Aditya ne use chhod diya..
"Aditya-mujhe ek vishal naav chahiye...jaldi se de warna tera kaleja nikal ke ....tu samajh sakta hain...bahut khatarnak hoon main"
Wo shaks Aditya ko naav wale kamre me le gaya..aur us kamre ki Mashal jala di..pure kamre me roshani fail gayi..wo shaks ne kamre me rakhi naav ki taraf ishara karte hue kaha.."naav koyi si bhi le lo..lekin patwar wo wali lena.."
Aditya patwar uthane ke liye peeche muda..tabhi us shaks ne apne pass padi ek chhoti patwar uthakar Aditya ke sar par de diya..Aditya peechhe muda..aur chillakar bola.."sale peechhe se war karta hain namard.."
"tune bhi toh peechhe se mujhe pakda tha.."
"sale meri baat alag hain..main samundar ka shikari hoon..lekin tu ek chhota sa naav banane wala hain.."
"phhir main kaun hoon re..."
Aditya aur wo shaks dono ne awaj ki taraf dekha..Ron ek naav par apna baya pair rakhe hue khada tha..
"Ron-tu sach me samundar ka shikari hain..
"Aditya-are Ron..main toh bas tera nam lekar ise dara raha tha..
"lekin iski shakal dekh kar ke toh nahi lagta ki ye dara hua hain..matlab mere nam ki tauhin hui.."
wo shaks Ron aur Aditya ko chhota mota chor samajhne laga..aur bola..
"main hoon bilandar ,pure pallora me mujhse achchhi naav koyi nahi bana sakta..tum dono ko main muft me ek badhiya naav deta hoon"
Ron kuch sochne laga..
"tu bhi humare sath chalega.."Ron ne bilandar ki taraf dekh kar kaha..
"kaha..aur mere is karobar ka kya hoga.."
"Martin ke saltant me le jaunga..soch le.."
Martin ke saltanat ka nam sunkar bilandar chup ho gaya...
******************************
Balladonna ke sabhi log pallora me ek achchhi si jagah dekhkar aram karne ke liye ruke..
Raaj abhi bhi us Nakshe ko dekh raha tha..
death iceland..isi raste se toh main aaya tha par ye dikha kyun nahi...kahi ye gayab hone wala iceland toh nahi..
""Naksha mujhe de be bahut dekh liya..."
Nair raaj ke samne khada tha..
"Raaj-kya hua...
"abey Naksha mujhe de.."
"Captain Nair ko Naksha chahiye..lekin kyun.."
"kyun ka kya matlab jitna bola gaya utna kar.."
Raaj ne Nair ko Naksha pakda diya..Nair nakshe ko dekhne laga..Nair-maloom nahi riya mam us jungali ke Nakshe par bharosha kyun kar rahi hain..jabki humare pass adhunik map hain...
"wo isliye ki..ye naksha samundar ki har ek jagah ko darshata hain...aur ekdum sahi bhi..."
"le pakad ye behuda chiz..mere kisi kaam ki nahi..."
Nair waha se chala gaya
 

Top