Romance Tumhaare Liye- Ek Prem Kahaani (Complete)

दिल से दिल तक
2,557
5,867
143
Acha khasa shadi me ho hullad hua bua ji ki thiki naukjhok bhi hua. Savita ki vidai bhi ho gayi jisme sabhi ki aankhe naam thi. Aisa hona lajmi hai ghar ka ek member hamesha hamesha ke liye ja raha hai. Jo kabhi kabhi sirf mehman bankar aayegi aur chali jayegi.

Savita ke bidai ke baad ek ek kar sabhi mehman ne vida liya. Par bua ji kyu nehi gayi unko to sabhi se pahle jana chahiye tha kyu ki unke ichchha ke birudh jakar naina ji aur mahendra ji ne raghav se bhai ka raesm karvaya.

Khair vidai to theek thak se hua.par sarita ke le vidai shubh nehi hua. Shopping mol se hi agwa kar liya gaya. Kisi aisi majal jo thanedarni ko agwa kar liya. Dekhte hai aage kiya hota hai.

Adbhut atulniya lekhan kaushal:clapclap::clapclap::clapclap:
धन्यवाद आपका महोदय।
बुआजी को उस समय जो करना था उन्होंने किया लेकिन मनीषा ने उन्हें अच्छे से संभाल लिया।
लड़की की विदाई के समय अक्सर ऐसा माहौल बन ही जाता है।

साथ बने रहिए।।
 
दिल से दिल तक
2,557
5,867
143
Bau baz hi na aa rahi hai. Ek tang khadde me hai dusri tang kabhi bhi khadde me ja sakti hai. Aise samay me log bhajan kirtan aur ache kaam karti hai. Par ye budiya bua sabhi bure kaam kar rahi hai. Jawan itni tikhi aur tez hai jab bhi chalti hai sirf kadwa hi bolta hai. Bua ke hav bhav aur chal chaln se lag raha hai bua ko marne ke baad swarg nehi jana hai. Narak me garm tel ki kadai me pakaudi ki taraha talne ka maza lena hai.

Duniya me khubsurat ladki aur nidar hona bhi khatre se khali nehi hai. Khubsurat hua to hamesha manchahlo se do char hona padta hai. Aur nidar hua to sarita jaisa haal hota hai koyi bhi aira gaira uthane aa jata hai. Mano koyi parsal ho. Khair sarita ki qismat achi thi jo kisi tarh rasi khol payi phir khidki todkar bhag nikli par ye takda kise gayi. Andi dekhkar nehi bhag sakti thi jahan tahan takrati rahti hai.

Adbhut atulniya lekhan kaushal:clapclap::clapclap::clapclap:
धन्यवाद आपका महोदय।
अब जब इतने लोगों से पंगा लिया था उसने तो उसका कुछ न कुछ परिणाम तो होना ही था।
उसके लिए मुश्किल की घड़ी है ये।

साथ बने रहिए।।
 
दिल से दिल तक
2,557
5,867
143
UPDATE- 102


naukari chhodne ke baad sarita ne apne aapko padhaai mein jhonk diyaa. Usne apne aapko puri tarah se sabhi se kaat liya tha. Wo pahli baar se kahin jyada mehnat kar rahi thi. Ab tak abhishek bhi jail se chhutkar ghar aa chukaa thaa.

samay bitne ke sath hi sarita ki prelims, main aur interview ho gaya tha jo achha gaya tha.



Lagbhag 11 Mahine baad


Sarita apne ghar mein laptop par apni najarein gadaye baithi thi. Aaj Uskka Civil Services ke exam ka result aane wala tha. Uska man andar hi andar ghabra raha tha. Wo Manisha se iske bare mein kai baar baat kar chuki thi. lekin Sarita ki bechaini badhti ja rahi thi.


Tabhi uske mobile ki screen par ek naam show huwa. Jo Nishchal ka tha. Usne phone uthaya to nishchal ne kaha.


Nishchal- ghabrao mat, Mujhe poora wishwash hai ki hamara sapna jaroor poora hoga.

Sarita- Aur agar nahi huwa to please mujhe maaf kar dena.

Nishchal- Fir se tumhara rona shuru ho gaya. Is baar nahi huwa to agli baar fir se try karna. Agli baar nahi huwa to uske Agli baar fir try karna aur vishwas karo Tumhare aim ke liye main bhi apni naukari chhod dunga.

Sarita- Haan fir to dono road par baithkar katora lekar bheekh mangenge. Hai na??

Nishchal- (hanste huwe) Sahi kaha. Isase better to koi job ho hi nahi sakti. IAS ki salary se jyada kamai hogi mahine mein. Sath mein tumhare sath kaam karne mein maza bhi bahut aayega.


Sarita uski baat sunkar hans di to Nishchal ne kaha.


Nishchal- Ab thik hai. tum aise hi hamesha hansti muskurati hui hi achhi lagti ho.

Sarita- Aap aa rahe hain na mujhse milne ke liye.

Nishchal- Abhi clear nahi bata sakta.

Sarita- (gusse mein) 1.5 sal se jyada ho chuka hai aapse mile huwe. apka to kuchh bhi clear nahi rahta.

Nishchal- Promiss yaad hai ya bhool gayi.

Sarita- Hmmmm. Yaad hai tabhi to kuchh bolti nahi hoon aapse.

Nishchal- Achha Ab khush ho jao.

Sarita- Wo kisliye??

Nishchal- Kyon ki main aa raha hoon tumse milne. Result chahe jo bhi ho exam ka tum udas mat hona.

Sarita- (khush hokar) Kyaa?? Sach mein aap aa rahe hain mujhse milne.

Nishchal- haan meri jaan main aa raha hoon.. mujhe lagta hai ki ab tum thik ho to main phone rakh raha hoon.

Sarita- Hmmm. Main intezaar kar rahi hoon aapka.


Itna kahkar Sarita ne phone rakh diya aur kisi soch mein gum ho gayi.


Sarita- (man mein) Agar aaj ye exam clear na huwa to main Sir ko kya munh dikhaungi. Mujhse jyada to unhone iske liye tapasya ki hai. Subah jagne se lekar der raat tak wah mere sath hi rahe hain. Notes banane se lekar interview ki taiyar karwane mein wo hamesha mere sath hi rahe hain.

Agar kisi topic par ulajhkar main pareshan ho jati thi to wo kitni aasani se us topic ko solve karke mujhe samjhate the. Mujhse jyada to unhone mehnat ki hai is exam ki. Hey bhagwan Sir ki mehnat ko bekar mat hone dena. Is bich wo mere guru. Mere margdarshak aur ek achhe aur sachhe dost ke roop mein the.

Wo to bhala ho phone aur video calling ka. Jiski wajah se main kam se kam unka chehra to dekh pa rahi thi. nahi to unhone promiss karke mujhe fansa hi diya tha. Pichhle 3 Mahine se unka transfer Pratapgadh (Allahabad ke bagal wala zila) mein huwa hai. chahe to wo mujhse aakar mil sakte hain 40 kilomiter door hi to rahte hain.

Lekin nahi apne aage to kisi ki sun-ni hi nahi hai. kahte hain ki agar main unse mil lungi to fir kai din to unke bare mein hi sochungi. Fir meri padhai disturb hogi. Isase achha jab exam clear kar lena to fir main poora ka poora tumhara.

Had hai yaar aisa bhi koi karta hai kya?? Preperation se pahle hi ye wada le liya tha ki jab tak result nahi aa jata tab tak ham log nahi milenge. Warna isase meri padhai mein effect padega. Aaj agar maine ye exam clear kar liya to ham dono ki mehnat safal ho jayegi.


Sarita yahi sab soch rahi thi ki tabhi Manisha aur Abhishek uske paas aaye. Manisha ne use jhakjhorte huwe kaha.


Manisha- DidiYA kis soch mein gum ho. boss ka phone aaya tha. Result aa gaya hai. jaldi se check karo..


Sarita ne Manisha ko dekha aur ghabrate huwe kaha.


Sarita- Nahi. Mujhse ye nahi hoga. Mujhe bahut dar lag raha hai tum hi check karo na.

Manisha- Hato main karti hoon.


Manisha result check karne lagi. Tabhi Sarita ka phone bajne laga. Lekin Sarita itni ghabrayi hui thi ki usne call nahi uthaya. Sarita ka phone band hone ke baad Manisha ka phone bajne laga. Manisha ne phone uthana chaha to Sarita ne kaha.


Sarita- phone baad mein utha lena. Pahle result check karo.

Manisha- Check to kar rahi hoon didiya, lekin sarver hi jam hai.


Abhi Manisha ne itna hi kaha tha ki Raani ji kamre aayi aur kaha.


Raani ji- Dekho. Savita bitiya ka phone aa raha hai. Result aa gaya kya??

Manisha- Hmmmm
.


Manisha result dekh rahi thi. screen par dekhne ke baad Manisha ne Sarita ki taraf dekhte huwe kaha.


Manisha- Didiya is baar tumhara…….


Manisha ne ye shabdd udase swar mein kahe the jise sunkar Sarita ko laga ki uska selection nahi huwa hai to uski aankho mein aanshu aa gaye. Ye dekhkar Manisha ne kaha.


Manisha- Are pagal tum ro kyon rahi ho?? Tumhari all India mein 22nd rank aayi hai.

Sarita- (jor se chillate huwe) Sachhi.


Manisha ne use gale lagate huwe kaha.


Manisha- Muchhiiii
.


Raani ji ne Khushi se Sarita ka matha chum liya. Aanand ji ne bhi Sarita ko gale lag aliya. Sarita khushi se jhoomte huwe Abhishek ke gale lag gayi aur boli.

Sarita- Main paas ho gayi bhaiya. maine jo chaha tha wo kar dikhaya.

Abhishek- Haan. Sarita . Main bahut khush hoon tumhare liye. Mujhe pahle se hi pataa tha ki tum jarur apne goal ko pa logi.


Sarita ke paas hone ki khabar poore mohalle mein jangal mein aag ki tarah fail gayi. Sarita ko badhayi dene walon ka jamwada lag gaya. Rishtedaro ke bhi lagatar phone aa rahe the. Sabhi Sarita aur uske gharwalo ko badhayi de rahe the.


News channel wale bhi interview lene ke liye aa gaye. Is bich Sarita poori tarah busy thi. use bilkul bhi samay nahi mil raha tha ki wo Nishchal se baat kar paye. Wah sabke bich mein ghiri hui thi. use tanik bhi achha nahi lag raha tha ki wO yahan par aur baithe, uska man Nishchal mein hi laga huwa tha.


Sarita ne pahle hi prayash mein IAS ki pariksha paas ki thi to uski charcha hona lajimi bhi thi. Aaj poore mohalle mein sabki juban par Sarita ka aur uske mummy papa ka hi naam tha. Apni bahan ki kamyabi se Abhishek bhi bahut khush tha.


Jab Sarita thoda free hui to kamre ki taraf jane lagi. Lekin Tabhi Raani ji use lekar Paas wale mandir mein chali gayi. uske naam se pooja ki aur thodi dan dakshina kar aayi. Sham hote hote Sarita bilkul thak chuki thi. Mandir se lautkar aane ke baad Sarita ne Manisha se kaha.


Sarita- Ab ek ghante tak mujhe koi bhi disturb na kar paye. Is baat ka dhyan rakhna.

Manisha- Thik hai didiya. Tum jao aur aaram kar lo thoda.


Wah apne kamre mein gayi to uski najar table mein rakhe phone par gayi. Usne apna phone dekha to usmein 75 miss call pade huwe the.


Sarita ne call check ki to usme Jawed, Mohit, Ranjana, Janhavi, Vikas, Amit aur Kaushal ke bahut sare miss calls the. Sath mein kuchh rishtedaro ke bhi phone the. Unhi mein 3 Miss call nishchal ki bhi thi.


Sarita ne turant Nishchal ko phone kiya to Nishhal ne phone nahi uthaya. Sarita ne apne man mein socha.


Sarita- Haan mujhe pata hai ki aap mujhse gussa hain, warna aap ek baar mein hi meri call utha lete, par main kya karun. Abhi to jakar sabse fursat mili hai.


Sarita ne Sorry ka massage likhkar use bhej diya. uske baad Sarita ne bari bari apne purane collegue se baat ki. Sabhi Sarita ki is achievement se bahut khush the. Sabhi ne Sarita ko badhayi di.


Sabse baat karne ke baad Sarita aaram karne lagi. Lagbhag 1 ghante baad Sarita ko Manisha ne uthaya aur kaha.


Manisha- Didiya chat par jao.


Manisha ne Sarita ki baat sunkar deewar par lagi ghadi ki taraf dekha aur kaha.


Sarita- Are abhi kyon jaun. Abhi to raat ke 8.30 hi baje hain.

Manisha- Haan pata hai mujhe. Ab jyada amma mat bano meri aur chaat par jao.


Manisha ke kahne par jab Sarita chaat par gayi to use waha par kisi ki parchhayi dikhi. Jise dekhkar Sarita ne kaha.


Sarita- kaun hai waha par??


Sarita ki baat sunkar jab wo parchhayi uski taraf ghumi to chand ki halki halki Roshni mein use Nishchal ka chehra najar aaya to wo daukar Nishchal ke sine se lag gayi. dono kuchh der aise hi khade rahe tabhi Nishchal ko Sarita ke sisakne ki aawaz sunayi padi. Nishchal ne kaha.


Nishchal- Kya huwa tumhe. Tum ro kyon rahi ho.

Sarita- I Am sorry. Main aapki call nahi uthaa payi. Aap mujhse gussa to nahi hain na.


Nishchal ne uske sir par hanth ferte huwe kaha.


Nishchal- Tumne aisa soch bhi kaise liya ki main apni lady don se kabhi gussa sakta hoon.


Itna kahkar Nishchal ne use apne se alag kiya aur uska chehra apne dono hatho mein liya aur uske mathe ko chum liya. Sarita sihar gayi.


Sarita ko ummeed nahi thi ki Nishchal usase aise milenga. Nishchal ne Sarita ka hath pakda aur use chat ke ek kinare par le gaya aur bagal mein ek swich onn kar diya.


JIisase waha par rang birangi dher sari lights jal gayi thi. Wahi par ek chhote se table par bahut hi pyara sa chhota sa cack rakha tha. Sarita uski taraf dekhne lagi to usne kaha.


Nishchal- Chalo tumhari khushi selebrate karte hain.

Sarita- (Khushi se) Ye Sab aapne kiya.

Nishchal- Nahi. Ye sab chhote miya aur tumhare bhaai ka kamal hai. unka kahna tha ki jab itne din baad ham dono mil rahe hain to kuchh special hona chahiye.

Sarita- (muskurate huwe) Aap sab na bilkul pagal hain.

Nishchal- hhhhmmmm. Aur tum ham sab paglon ki jaan.


Sarita Nishchal ki baat sunkar uske sine se lag gayi. Kuchh der baad Nishchal ne uska hath pakadkar use apne se alag kiya aur use table ke paas le aaya aur bola.


Nishchal- Chalo ab cack kato.

Sarita- cack main nahi aap kitenge, kyonki meri safalta ke pichhe aapka hath hai. mujhse jyada mehnat to aapne ki hain mujhe exam clear karwane ke liye. Ye sab aapke karan hi possible huwa hai.

Nishchal- Main to bas ek jariya tha Sarita mehnat to tumhari apni thi.. Acchha Ab jaldi se cack cut karo. Tumhare liye mere paas bahut bada surprise hain.

Sarita- Kya surprise hai.

Nishchal- Wo to cack katne ke baad hi pata chalega.

Sarita- Chaliye sath mein cack kat-te hain.


Nishchal aur Sarita ne sath mein cack kata. Fir dono ne ek doosre ko cack khilaya. Fir dono wahi chat ki deewar se take lagakar baith gaye. Un dono ke bich bas aasman mein chamakta chand tha aur dono ke bich khamoshi thi. dono ek doosre ki aankho mein khoye huwe the.


Sarita ne is khamoshi ko todte huwe kaha.


Sarita- Kya surprise tha ab bataiye??

Nishchal- Pahle apni aankhe band karo.

Sarita- Par aankhein kyon.

Nishchal- Tum sawal bahut karti ho. apni aankhein to band karo.


Sarita ne apni aankhein band kar li. Nishchal ne apna mobile nikala, mobile mein kuchh kiya aur Sarita se kaha.


Nishchal- Ab apni aankhein kholo.


Sarita ne apni aankhein kholi to uske samne mobile ki screen par kuchh dikh raha tha. Nishchal ne kaha.


Nishchal- Ab ise padho.


Sarita ne jab use padha to uski Khushi ka thikana nahi raha. Wo Khushi ke mare jor se cheekhne wali thi par Nishchal ne turant uske munh par apna hath rakh diya aur kaha.


Nishchal- Are maine chillane ke liye thode hi kaha tha. padhne ke liye kaha tha.


Sarita ne apne munh se Nishchal ka hath hataya aur uske gale lag gayi. Sarita ki aankho mein Khushi ke aanshu the. Nishchal ne usase pochha.


Nishchal- to kaisa laga mera surprise.

Sarita- ye meri zindagi ka sabse bada surprise hai. lekin aapne mujhe bataya kyon nahi ki aapne bhi ye exam diya tha.

Nishchal- main kaise batata tumhe. Main to shyor bhi nahi tha ki main paas bhi ho paunga, lekin luckly 320 rank aa hi gayi.

Sarita- Lekin aapne kabhi bataya nahi ki aap ka bhi aim IAS ban-na hai.

Nishchal- Ye mera aim nahi tha, lekin tumhari madad karte karte dimag mein khyal aaya ki main bhi ye exam de hi deta hoon. Aur dekho mere luck ne mera sath diya aur main bhi paas ho gaya.

Sarita- Aaj main sach mein bahut khush hoon aur is Khushi ki wajah aap hain.


Nishchal ne uska hath apne hath mein lete huwe kaha.


Nishchal- main chahta hoon ki ta-umar main tumhein aise hi khush dekhun.


Nishchal ki baat sunkar Sarita sharma gayi aur Nishchal ki baho mein simat gayi.


Dono kuchh der aise hi khade rahe tabhi Sarita ka phone bajne laga. Phone Manisha ka tha. Sarita ne phone uthaya to Manisha ne kaha.


Manisha- Didiya Niche aao.

Sarita- Hmmmmmmm. Per Sir bhi to hain sath mein.

Manisha- Pahle tum aao. Main baad mein boss ka intezam karti hoon.


Sarita ne bechargi se Nishchl ki taraf dekha. Wah uski or badha aur uske mathe ko chumte huwe bola.


Nishchal- Tum jao Ab ek hafte baad milte hain.


Sarita ne apni apni bhauhein uthate huwe ishare se poochha.


Sarita- Ek hafte baad kyon??

Nishchal- Ufffff. Tum sawal bahut karti ho.

Sarita- Abhi se hi pareshan ho gaye. Aap to sari zindagi sath rahne ki baat karte hain.

Nishchal- (shararat se) Agar ab tum chup nahi hui na to main tumhare hontho ko kiss kar lunga.


Sarita ne Nishchal ki baat sunkar jhat se apne hontho par apna hath rakh diya. Nishchal uski is harkat par muskura diya. Sarita turant niche chali gayi.


Sarita ke aane ke baad jis tarah Se Manisha Nishchal ko lekar chat par chupke se gayi thi usi tarah Nishchal ko chupke se waha se bahar le aayi. Nishchal apne ghar chala gaya.


Nishchal ne apne ghar mein Sarita aur apne rishte ke bare mein bata diya. Naina ji aur Mahendra ji ko Sarita pahale se pasand thi. kahi na kahi unke man mein bhi yahi khayal chal raha tha, Sarita aur Manisha ko Unhone Savi ki shadi mein hi achhe se parakh liya tha. Isliye unhe is Rishte ke bare mein koi aapatti nahi hui.


Naina ji aur Mahendra ji ne Iske bare mein Raghav aur Savita se bhi baat ki. Dono ko pahle hi Nishchal aur Sarita ke bare mein pata tha to unhe bahut Khushi hui aur unhone is rishte par apni muhar laga di.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
 
Will Change With Time
Super-Moderator
25,319
19,148
143
UPDATE- 91


Sarita jitna tez ho sakta tha utna tez daud rahi thi. Usne do din se khuchhh khaya piya nahi tha, isliye wo daute huwe thak gayi thi aur Samne se aa rahe ek insan se jor se takra gayi. Jab Sarita ne uski taraf dekha to wo Aashcharyachakit rah gayi. Sarita ki aankhe chaudi ho gayi.


Idhar Sarita ko kidnap huwe Aaj tisra din tha. Raani ji, Manisha aur Aanand ji ka ro ro kar bura haal ho gaya tha. Abhishek ko abhi is baat ka pata nahi tha, kyonki in teen dino mein uska phone kai baar aaya tha lekin Sabhi itna jyada pareshan the ki unhone abhishek ko kuchh nahin batayaa.


Wo log ab Allahabaad wapas aa gaye the. Poore ghar mein matam pasra huwa tha. Tabhi Manisha ka phone bajta hai. Manisha phone dekhti hai to Abhishek ka phone tha. Manisha ne phone uthaya aur kaha.


Manisha- Hello bhaiyaa.

Abhishek- kaisi ho Manisha. Aur ghar mein sab kaise hain. Sarita kaha hai uska phone kai din se lag nahi raha hai aur na hi wo mujhse milne aayi aur na hi usne mujhe phone hi kyaa. Sab thik to hai na.


Abhishek ki baat sunkar Manisha apne aapko ab aur na sambhal saki aur sisakne lagi. Manisha ki siskari Abhishek ko sunai padi to Abhishek ne Poochha.


Abhishek- Kya huwa Manisha. Tum ro kyon rahi ho. Sab thik to hai na.

Manisha- (rote huwe) Kuchh thik nahi hai bhaiya. Kuchh bhi thik nahi hai.

Abhishek- Huwa kya hai. ye to batao.

Manisha- Bhaiya. Didiya mil nahi rahi hai.

Abhishek- Kyaaa. Mil nahi rahi hai se kya matlab hai tumhara.

Manisha- Didiya tin din se gayab hai. Use kisi ne kidnap kar liya hai. mujhe bahut dar lag raha hai.

Abhishek- Ye kya kah rahi ho tum Manisha. Ye kaise huwa. Tumne police ko bataya ya nahi.

Manisha- haan bhaiya main sahi kah rahi hoon. Maine Boss ko bata diya hai wo didiya ko hi dhoondh rahe hain. lekin abhi tak didiya ka koi pata nahi chal paya hai.

Abhishek- Ruko main baat karta hoon nishchal se.


Itna kahkar Abhishek ne phone cut kar diya. Idhar Jaunpar aane ke baad Nishchal, Mohit aur Jawed ke sath milkar Raghu aur Bachha Singh ke sare adde par puchhtachhh kar raha tha. Ek jagah use Ek admi ki harkato par shak huwa.


Wo Nishchal se baat karte huwe bahut ghabra raha tha. Ye dekhkar Nishchal ne kuchh socha aur Jawed ko kuchh ishara karke waha se chalne ke liye kaha.


Udhar Naina ji aur Mahendra ji bhi Raghav ke sath Allahabad ke liye nikal gaye the. Kuchh ghate baad wo Allahabad pahuch gaye. Wo jab Sarita ke ghar pahuche to ghar mein charo taraf dard aur dukh ke siway kuchh bhi nahi tha.


Sarita ke ghar walo ka ro ro kar bura hall tha. Naina ji aur Mahendra ji unhe samjha rahe the. Raghav bhi sabki halat dekhkar pareshan tha aur unhe samjha raha tha.



Ab chalte hain Sarita ke paas.


To Sarita jab kidnapar ke changul se bachkar bhag rahi thi to wo Samne se aa rahe kisi Aadmi se jor se takrayi thi. Jise dekhkar Sarita Aashcharyachakit rah gayi aur uske munh se nikal gaya.


Sarita- Sir Aaap yahan. Mujhe pata tha ki koi na koi mujhe bachane jaroor aayega.


Samne khada sakhs koi aur nahi balki Rawat sir the. Unhone Sarita ke kandhe ko pakad kar usase bole.


Rawat Sir- Tum Sach mein bahut bahadur ho Sarita. Kaise in logo ko chakma dekar tum bhag rahi thi, lekin ab tum bilkul bhi chinta mat karna. Main aa gaya hoon na. gin gin kar hisab lunga main.


Rawat Sir ki baat sunkar Sarita ko hausla mila aur wo Un Aadmiyo ki taraf mudte huwe bole.


Sarita- Dekha tum logo ne. maine kaha tha na ki tum logo ne mujhe pakadkar bahut badi galti kar di hai. Ab mere Sir Poori police force lekar aa gaye hain. koi bhi ab yaha se bachkar nahi ja payega. Jail mein sadoge tum sab.


Uske bolte hi sab jor jor se hansne lage. Unko hansta dekhkar Sarita ko aashcharya huwa to wo palatkar Rawat sir ki taraf dekhne lagi. Sarita ko bolne ka Rawat Sir ke upar koi asar hi nahi huwa. Wo Rawat Sir ko dekhte huwe boli.


Sarita- Sir Aap in sabko pakadte Kyon nahi hain?? Yahi wohi log hain jo mujhe yaha par lekar aaye hain. Baki sabhi log kaha hain. Nishchal Sir. Mohit, Jawed sab kaha par hain.

Rawat Sir- Koi bhi sath mein nahi aaya hai. main yaha aakele aaya hoon.

Sarita- (chauk kar) Kya. Akele. Fir in sabko ham pakadenge kaise??

Rawat Sir- Pakdenge. Jaroor pakadenge, lekin uske pahle tumhari khatirdari to achhe se kar lein.


Sarita kuchh samajh pati usase pahle hi Rawat Sir ne Aage badhkar Sarita ke bal ko pakadte huwe kaha.


Rawat Sir- Akele isliye aaya hoon. Taki main tumhe chain ki neend sula saku. Tumne waise bhi ab tak ham logo ki neende haram karke Rakh di hain.


Sarita Rawat sir ki baat Sunkar Apni aankhe chaudi karke unhe dekhne lagi. Sarita ko kuchh samajh mein nahi aa raha tha ki wo kya bol rahe hain aur uske bal ko kyon pakad rakha hai. Sarita ne kaha.


Sarita- Sir ye aap kya bol rahe hain?? Aur aapne mujhe aise kyon pakada huwa hai. chhodiye mujhe dard ho raha hai.


Sarita ki baat sunkar Rawat Sir ne Sarita ke bal chhod diya aur ek jhannatedar thappad kheechkar Sarita ke gal par maar diya. Thappad itna jordar tha ki Sarita ke honth fat gaya aur usme se khoon nikalne laga.


Rawat Sir ki pancho ungaliya Sarita ke gal par turant hi chap gayi. thappad ke prahar se Sarita jameen par gir padi to Rawat Sir ne uske bal aur kaskar pakadte huwe use kheechkar upar uthaya aur chilllate huwe kaha.


Rawat Sir- Chupp. Ekdam chupp. Kitne din se main is din ka intezaar kar raha tha. Jab se aayi ho tab se naak mein dam karke rakha huwa hai. dimaag ka dahi kar hai diya tumne. Main to samajhta tha ki tum lady ho. sidhi sadi hogi, har matter mein jyada involve nahi hogi,

lekin tumne to had hi kar di. jitna koi mail officer ne aajtak mera dimag kharab nahi kiya usase jyada to tumne mera dimag kharaab kar diya hai. Jab se aayi ho mera such chain sab cheen liya hai tumne.


Itna kahakr Rawat ne Sarita ke doosre gaal par pahle se bhi jyada jor se thappad mar diya. Jiske karan Sarita ke honth dono kono se fat gaye aur khoon nikalne laga. Thappad padne ke karna wo kohani ke bal gir padi jiske karan uski kohni bhi chhil gayi thi.


Sarita ko to yakeen hi nahi wo raha tha ki Rawat Sir, Uske Rawat Sir aisa kar sakte hain. Sarita ki aankho mein aanshu aa gaye.


Rawat sir ne ishara kiya to uske Aadmiyon ne Sarita ke hath pair bandh diye. Sarita ne iska virodh kiya to Ek aadmi ne uske gal par ek jor ka thappad laga diya, Teen jordar thappad khakar Sarita bohosh ho gayi thi.


Rawat sir ne apne aadmiyo ko uske aaspaas rahne ko bola aur hosh mein aane par use inform karne ka bolkar bagal mein Rakhi kursi par apni aankhe band karke baith gaya.



*********


Idhar Nishchal Ne Jawed ko ishara karke waha se chala gaya. Kuchh der baad jawed ne Nishchal ko phone kiya aur us aadmi ke bare mein jankari di. Wo thodi jaldbazi mein ja raha tha.


Nishchal Jawed ki batai hui jagah par pahuch gaya. Wo Aadmi Bachha Singh se milne aaya tha. Nishchal ne jakar Bachha Singh ko pakad liya. Nishchal uspar chillate huwe bola.


Nishchal- Sarita ko kahan par rakha hai tumne??

Bachha Singh- Kaun Srita. Mujhe nahi pata tum kiske bare mein baat kar rahe ho DSP.


Nishchal ne Bachha Singh ko Ek ghunsa kaskar uske jabde par de diya aur bola.


Nishchal- Ab yaad aaya ya Aur lagau ek. Wahi Sarita jise tumne Rishwat ke case mein fansaya tha. Wahi Sarita jisne tumhara dhandha Is Shahar mein Chaupat kar diya hai. Jiska badla lene ke liye tumne use kidnap karwa liya.

Bachha Singh- Subah Subah bhang khakar aaye ho kya DSP. Maine kisi ka kidnap nahi kiya hai. Main to Khud apne bhaai ko lekar bahut pareshan hoon. Use jail se nikalwane ki koshish kar raha hoon.

Nischhal- Dekho Bachha Singh. Mere samne Jyada oversmart ban-ne ki koshish mat karo. Mera dimag pahlr se hi satka huwa hai tum use aur mat satkao. Sarita ke sath tumne Raghu ko bhi kahi chhupakar rakha hai. Main Aakhiri baar pooch raha hoon ki dono kahan hain.


Nishchal ki baat sunkar Bachha Singh uthkar khada ho gaya aur Nishchal ki taraf ghoorte huwe bola.


Bachha Singh- Dekho DSP. Mana ki is samay main tumhari custody mein hoon, lekin iska ye matlab nahi hai ki tum mujhpar koi bhi ilzam laga doge. Mujhe Sarita ke bare mein kuchh pata nahi hai aur Raghu ke bare mein tum kya bol rahe ho.

Maine use chhupakar rakha hai. Shayad tum bhool rahe ho ki Bachha Singh koi kaam chhupakar nahi karta. Tumhara dimag sach mein kharab ho gaya hain. Raghu ko jail mein band karke tum mujhse pooch rahe ho ki maine Raghu ko kaha chhupakar rakha hai.

Nishchal- (uska collor pakadte huwe) Raghu jail se bhaag gaya hai.


Nishchal ki baat sunkar Bachha Singh Uski taraf hairani se dekhne laga aur bola.


Raghu- Dekho DSP Agar ye tumhara mazak tha to ye bahut ghatiya mazak tha aur agar tum mujhe pakadne ke liye Raghu ke bhag jane ki khabar sunakar koi chaal chal rahe ho to ye yaad rakhna ki tum isme kabhi kamyaab nahi hoge. Bachha singh naam hai mera.


Uski baat sunkar Nishchal ne ek aur mukka uske munh par maar diya jiske karan uske munh se khoon nikalne laga. Nishchal ne Bachha Singh ka gala pakadte huwe kaha.


Nishchal- Abhi mere paas itna samay nahi hai ki main tumhari faltu ki baate sunu. Sarita ko tumhare bhaai ne kidnap kar liya hai aur Agar Wah hame nahi mila to tum samajh lena ki tumhare sath bad se bhi badtar pesh aaunga main.

Tumhe apni zindagi par pachhtawa hoga. Ye baat yaad rakhna. Isliye main jitna pooch raha hoon uska jawab sahi sahi do.

Bachha Singh- DSP. Mujhe ye bilkul bhi samajh mein nahi aa raha hai ki tum ye kya baat kar rahe ho. Main to khud neta ji ke paas use chhudane ke liye bolne gaya tha. unhone mujhe khud kaha hai ki 1 mahine ke andar Wo Raghu ko jail se bahar nikal lenge. Meri to idhar bich Raghu se koi baat hi nahi hui aur tum kah rahe ho ki Raghu jail se bhaag gaya hai.

Nishchal- Tum jhooth bol rahe ho?? Kaun nateji the uska naam batao.

Bachha Singh- Main uska naam nahi bata Sakta Inspector aur main koi jhooth nahi bol raha hoon. main manta hoon ki main ek galat insan hoon, lekin apne bhaai ko lekar main kabhi bhi jhooth nahi bol sakta.

Nishchal- Mujh tumhare upar tanik bhi wishwas nahi hai. Tumhe Abhi Shak ki buniyad par hamm police station le jayenge.

Bachha Singh- Tumhe jo bhi karna hai kar lo, par main Raghu ke bare mein kuchh nahi janta.

Nishchal- Wo Sab to main pata kar hi lunga, lekin Abhi tum hamare sath chalo.


Nishchal bacha Singh ko lekar jane laga to uske aadmiyon ne Nishchal ka rasta rok liya. Ye dekhkar Nishchal ne kaha.


Nishchal- Maine kaha na ki Agar tumhara in sabmein koi hath nahi hai to main tumhe chhod dunga aur yadi mujhe pata chala ki ye sab tumne kiya hai to main tumhe tumhare kiye ki saza jaroor dunga.

Isliye tum apne aadmiyo ko samjha do, kyonki is samay mujhe isase bhi jaroori kaam karna hai isliye main koi khoon kharaba nahi chahta.


Nishchal ki baat Sunkar Bachha Singh ne apne aadmi ko pichhe karte huwe kaha.


Bachha Singh- Sab log pichhe hat jao. Agar main kal subah tak wapas nahi aaya to tum wakil ko lekar thane aa jana.

(Apne man mein) Inspector ke mutabik Raghu jail se bhaag gaya hai, lekin agar wo jail se bhag gaya hai to mere paas kyon nahi aaya. Agar wo mere paas nahi aaya to wo kahan gaya hai?? Use kaun le gaya hai?? Kahi kisi ne mere bhaai se dushmani to nahi nikali aur use kuchh ulta siddha kar diya ho ya fir ye is Inspector ki koi chaal hai.

Ye to mujhe wahi jakar hi pata chalega ki aakhir ye inspector sahi kah raha hai ya jhooth.. Agar sach mein Raghu jail se bhaag gaya hai to Achha hi huwa. Kam se kam wo bahar to aa gaya hai. Nahi to ye police wale mere bhaai ke sath bahut bura bartav karte.

Inspector itne confidence se bol raha hai ki uski bato par yakin karne ko dil kar raha hai. Aur ye Inspectorni ka kya chakkar hai. Usko kisne kidnap kiya hai. Kahi Raghu ne to nahi kidnap kiya use. Ye ho bhi sakta hai, Kyonki Raghu ko us Inspectorni ne hi to pakadwaya tha. waha jakar dekhta hoon ki kya sahi hai aur kya galat hai.


Bachha Singh ke kahne ke baad Uske Aadmi samne se hat gaye to Nishchal Bachha Singh ko lekar bahar aa gaya. Nishchal ne Bachha Singh ko gadi mein baithaya aur Mohit ko bacha Singh ko le jane ke liye bol diya.


Mohit bacha Singh ko lekar chala gaya. Nishchal apni gadi mein jab baithne laga tabhi Nishchal ka phone bajne laga. Phone Abhishek ka tha. Phone uthate hi Abhishek ne kaha.


Abhishek- Ye main kya sun raha hoon Sir. Sarita ko agwa kar liya gaya hai .

Nishchal- Haan Sahi suna hai aapne. Sarita ko Agwa kar liya gaya hai.

Abhishek- Kya aap thodi der ke liye mere paas aa sakte hain.

Nishchal- Abhi mujhe Sarita ko dhoondhna hai. Abhi mere paas samay nahi hai.

Abhishek- Sarita meri bahan hai. Main bhi Sarita ko dhoondhna chahta hoon isilie main aapko bula raha hoon.

Abhishek- Achha Rukiye main aa raha hoon.


Itna kahkar Nishchal Abhishek se milne ke liye chala gaya.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..

Rawat hi vo shaksh hai jisne srita ko kidnap karvaya. Abhisek ka banaya hua sketch jisme sirf aankhe hi tha ho na ho vo aankhe rawat ka hi hoga.

Sarita ne andha vishvas kiya tha rawat sir par aur aaj rawat sir ke karn hi vo musibat me fhas gaya hai.

Idhar nishchhal bacha ko bada karne gaya matbal uthne gaya par kauno phaida na hua. Bacha ko to kuch bhi pata na hai use to ye bhi pata na hai ki raghu jail se bhag gaya hai.

Ab dekhte hai aage kiya hota hai. Lagta hai nishchhal ki sarita bemaut mari jayegi ya phir.....khair chodo thoda wait karte hai.

Adbhut atulniya lekhan kaushal:clapclap::clapclap::clapclap:
 
Will Change With Time
Super-Moderator
25,319
19,148
143
UPDATE- 92


Udhar Sarita ko ab tak hosh aa chuka tha aur wo chair par baithi thi aur uske hath pair bandhe the. Rawat ko Uske aadmiyon ne Sarita ke hosh mein aane ki jankari de di thi. Wo Sarita ke samne kursi par baitha huwa tha. Sarita apne aapko chhudane ki koshish karne lagi. wo chillane lagi, lekin usko koi kamyabi nahi mili. Wo Samne baithe Rawat se boli.


Sarita- Mujhe maarkar aap ko kuchh bhi nahi milega. Main nahi to koi aur aayega jo is ladai ko aage badhayega. Is desh mein aap jaise baiman hi nahi hain, mere jaise imandar bhi hain. Aap jo ye sab kar rahe hain na ye jyada din tak nahi tik payega.

Rawat- (hanste huwe) jyada bhauk mat ladki. Maine kahi par padha tha ki jab kisi aadmi ka ant samay aata hai to wah bahut buddhimani ki bate karne lagta hai..

Sarita- (uski aankho mein dekhte huwe) maine bhi kahi padha tha ki har bure kaam ka najam hamesha bura hi hota hai aur apradhi chahe kitna bhi shatir kyon na hi. Kisi na kisi din police ke hatthe jaroor chadhta hai.

Jyada din nahi bache hain aapke paas. Nishchal Sir jaroor pata laga lenge ki aap sher ki khal mein chhupe huwe bhediye ho. Aashtin ka sanp ho aap.

Rawat- Rassi jal gayi par bal abhi tak nahi gaya. Abhi bhi tumhara rawaiya wahi hai. Par kuchh der aur. Kuchh der aur apne pankh fadfada lo, kyonki kuchh der mein main wo pankh hi kaat dunga. Is baar tumhe koi nahi bacha sakta.

Tumhara wo Nishchal Sir bhi nahi jo har baar tumhare liye sankat mochan banker aa jata tha. Wo abhi apni bahan ki shadi mein uljha huwa hai. Wo yaha par tumhe bachane nahi aayega. Aur agar aa bhi gaya to mujh tak kabhi nahi pahuch payega.


Rawat ki baat sunkar Sarita ne Rawat ko gusse se dekha. Rawat ne uske gusse ko ignor karte huwe kaha.


Rawat- Bahut jaldi tum marne wali ho, lekin marne se pahle ye to sun lo ki kyon main tumhe aise yaha par laya hoon?? jan-na nahi chahogi ki ye sab kaise huwa??


Rawat ki baat sunkar Sarita ne kuchh nahi kaha aur apna sir niche jhuka liya aur jameen ko dekhne lagi. ye dekhkar Rawat ne hanste huwe kaha.


Rawat- Are Are. Itni bahadur ladki ko aaj kya ho gaya?? Tumhare andar itni bhi himmat nahi bachi ki kuchh sun sako. Bas kuchh der tak aur intezar kar lo. Uske baad to tumhe fir jana hi hai. Sari ladkiyon ki role model ho tum, tumhara itni jaldi haar maan lena thik nahi hai. Gro up Sarita.


Tabhi ek Aadmi Andar aaya aur jor se bola.


Aadmi- Are Rawat Sir. Bechari ko itna bada jhatka laga hai, Sambhalne ke liye thoda sa wakt to dijiye. Aap hain ki uske upar chadhaai hi kiye ja rahe hain.


Rawat ne Pichhe mudkar dekha to waha par ek neta khada tha. jo khadi ke kurte payjame mein tha. Rawat ne use dekhte hi hanste huwe kaha.


Rawat- Are neta ji. Aap bhi chale aaye.


Ye wahi neta tha jisase Bachha Singh ne Raghu ko jail se chhudane ke liye sifaris ki thi. Rawat ki baat sunkar neta ne hanste huwe kaha.


Neta- Are bhaai. Tumne Sandesha bhijwaya to ham daude chale aaye. Aakhir hamein bhi to us mahaan Shakhsiyat se milne ka mauka milna chahiye jisne hamare sabse jame jamaye karobar ki kamar tod di hai.

Jiski wajah se hamare har galat aur kale karnamon ko anjam dena wale Bachha Singh jaise shatir aur Khunkhar Aadmi Jisase poora Shahar darta tha, wo bhi haar gaya to hame inse milna hi tha.


Itna bolkar neta hansne laga. Neta ki baat sunkar Sarita ne use ghoorkar dekha to Rawat ne kaha.


Rawat- Neta ji. Juban sambhal kar baat kariye Inspector Sahiba se nahi to madam ko gussa aa jayega.

Neta- (hanste huwe) Are main to sach mein dar gaya. Hahahaha Ab gusse ke alava ye aur kya kar sakti hai Rawat ji. Ise bachane ke liye ab koi aane wala nahi hai.

Rawat- (hanste huwe) Sahi kaha neta ji. Inke Pyaare Nishchal Sir to aane wale nahi hai, to ye yaha se bachkar jane se rahi. Hahahahaha.


Dono ki baat sunkar Sarita ko bahut gussa aaya aur wo chillate huwe boli.


Sarita- Tum dono jaise ghatiya insano ki wajah se hi police department aur politics dono badnam hota hai. Tum logo ki wajah se khatarnak Apradhi aaram se chhut jate hain jinhe ek officer apni jan par khel kar pakadta hai. Fir wahi apradhi aage chalkar kisi badi ghatna ko anjam deta hai.

Jaise us din Raghu ne dange ko anjam diya tha. tum jaise log is khaki aur khadi ki Garima ko bhool gaye hain. Sharam aani chahiye tum dono ko. Thoo hai tumhari zindagi par. Are main to Aapko Apna Aadarsh manti thi Sir.

Lekin aap uske layak hi nahi hain Sharam aati hain mujhe apne aap par ki maine aapko Sir kaha hai. Are Mujhe to usi din thoda shak ho gaya tha jab Mere bhaai ne mujhe tumhara chehra banakar diya tha,

bhale hi wo aankhe hi banayi thi usne, lekin Nishchal Sir ne Us tasweer par bilkul bhi bharosha nahi kiya tha. kaas wo aaj tumhara asli chehra dekh pate. Agar usi samay wo bharosha kar lete to aaj tum jail ki salakho ke pichhe hote.

Rawat- Kyaa tumhara bhaai. Use kaise pata mere bare mein. Kaun hai wo. Maine to kabhi nahi dekha aur na hi kabhi suna ki tumhara koi bhaai bhi hai. Bata ladki kaun hai wo jo meri sachhai pahle se janta hai.

Sarita- Wo to main kabhi bhi nahi bataungi. Chahe tum jo kuchh bhi kar lo, lekin ek baat yaad rakhna. Tum bachoge nahi. Nishchal Sir tumhe chhodenge nahi.

Rawat- Tum aur Tumhara wo pyara aur chaheta nishchal mera kuchh nahi bigad sakte. Agar tum dono ko pahle bhi pata hota tab bhi mera kuchh ukhad nahi sakte the tum dono. Salo se main is kaam mein involve hoon.

Kitne hi officer ko maine apne inhi hatho se maut ki neend sulaya hai. Jinhone meri asaliyat jani wo zinda nahi bacha. Tumhara bhaai aur tum bhi zinda nahi bachoge. Main use dhoondh nikalunga aur kutte ki maut marunga.

Sarita- (chillakar) Chup kar kamine. Harami insan. Police ke naam par kalank hai tu. Kabhi mere bhaai ka pata nahi laga paega tu kutte. Aur tu jyada din tak nahi bachega. Main mar bhi gayi to bhi koi gam nahi hai lekin tujhe nishchal Sir jaroor marenge.

Rawat- Chup kar ladki. Kab se dekh raha hoon ki Nishchal Nichchal ki mala jape ja rahi hai. Kya lagta hai wo tera mujhe ye samajh mein nahi aa raha hai. Ek baat tu jan le. Tumne mera asli chehra dekh liya hai.

Kyonki tumne bahut gadar macha rakkha tha mere dhandhe mein. Agar tum bhi shanti se apna kaam karti to kabhi bhi meri asaliyat nahi jan pati jaise aur log nahi jan paye hain. Agar Nishchal bhi meri asaliyat jaan gaya to wo bhi marega.

Sarita- Agar tumhe Mujhse itna hi khatra tha. to tumne mujhe pahle kyon nahi Marwa diya?? Abhi tak kyon intezar kar rahe the?? Kyon jinda rahne diya tumne mujhe??

Rawat- Sab batata hoon Sarita. Thoda sabar to karo. Aakhir meri itni honhar aur kabil officer ho to tumhara sabkuchh jan-ne ka hak banta hai aur main nahi chahta ki tum suspene mein maro.


Sarita ne Rawat ki baat sunkar use ghoorkar dekha to Rawat ne hanste huwe kaha.


Rawat- Chalo ab aur jyada suspence na rakhte huwe main tumhe sab bata hi deta hoon. marne se pahle tumhara yah jan lena jaroori hai ki Kyon aur kisliye tumhara apaharan huwa hai??

To karan ye hai ki tumne jab se PS join kiya hai tab se hamare sare gairkanuni dhandho par grahan ban kar chhayi ho. Un ladkiyon ko bhi tumne chhudwa liya. Tumhe pata hai ki mera kitna bada nuksan huwa hai.

Karodo ki deel hui thi un ladkiyo ki, lekin tumne mere karodo rupayo par pani fer diya. Fir raid Markar hamara arabo rupaye ka Drugs, ganja aur heroen bhi tumne pakad liya. Maine socha tha ki Bachha Singh tumhe sambhaal lega, par us gadhe se yah kaam bhi na ho paya.

Sabhi ladkiyo aur Drugs, heroen ko tumne apne undar mein rakh liya. Us din se tum meri najaro mein chadh gayi thi. Maine tumhe jitna siddha samajhne ki bhool ki thi shuruaat mein. Samay ke sath meri wo bhool mujhe hi bhari padne lagi. main to kab se isi firak mein tha ki kab tum mere hath lagogi.



Tumhari wajah se Mujhe Raghu ko jail se bhagana pada. Jisase tumhare katal ka sara iljam us par aa jaye. Kyonki Sabhi jante hain ki Raghu ko tumne hi pakadwaya hai to tumhari hatya ke baad log yahi maanenge ki Raghu ne jail se bhagkar apna badla poora karne ke liye tumhari hatya kar di.




Raghu ko hamne aisi jagah chhupakar rakha hai ki wo kabhi bhi waha se bhaag nahi sakta aur na hi police us tak kabhi pahuch sakti hai. Police use dhoondhte dhoondhte thak jayegi lekin wo milega nahi.

Jab tak police Raghu ko dhoondhne mein lagi rahegi tab tak ham apne kaam ko anjam de dekar Raghu ko chhod denge. Fir Tumhare katal ke iljam mein police Raghu ko pakad legi aur ham log Saf bach jayenge.


Rawat ki baat sunkar Sarita ki aankhe fati ki fati rah gayi. Usne kabhi socha nahi tha ki police department mein rahkar Rawat uske khilaf itni badi sajish kar raha hai. Rawat ne muskurate huwe kaha.


Rawat- Are abhi se mat chauko abhi to maine shuru kiya hai. Abhi aur suno. Bachha Singh aur Raghu hamare hath ki kathputli hain. Ham jaisa bolte hain waisa hi wo dono karte hain.

Hamari wajah se hi un dono ko ye sab chhuut mili hai jo wo bedhadak har kaam ko anjam dete hain. Tumhari hatya ke baad police Raghu ke pichhe lag jayegi aur ham tak kabhi nahi pahuch payegi.

Sarita- tum nihayat hi ghatiya aur kamine insan ho. Tum apne swarth ke liye Raghu aur Bachha Singh ko phansana chahte ho. Mana ki wo dono gunahgaar hain, lekin Un dono se bada gunahgaar to tum ho. Tum bachoge nahi. Aur Ye tum baar baar hamare hamare bol rahe ho.

Tumhare sath koi aur bhi hai kya, Kyonki mere bhaai ne tasweer mein jo do aankhe banayi thi. Wo tumhari aur is neta ki hai. Is neta ko dekhkar main samajh gayi ki doosri Aankh isi neta ki hai. Lekin mujhe lag raha hai ki tumhare sath koi aur bhi mila huwa hai. Mujhe batao kaun hai wo.

Rawat- Abhi tumne mera ghatiya aur kaminapan dekha hi kaha hai aur itni jaldi bhi kya hai doosre insan ke bare mein jan-ne ki. Bahut jaldi tumhe us mahapurush ke darshan bhi ho jayenge. Lekin abhi to tumhe aur bhi kuchh batana hai.

Sarita- Bako kya bakna chahte ho.

Rawat- Are itni berukhi. Ye achi baat nahi hai Sarita. Main jaisa bhi hoon. Aakhir hoon to tumhara Rawat Sir hi. Haan to main kah raha tha ki tumhe yaad hoga ki tumhare upar corruption ka aarop laga tha. wo shubh kaam maine hi karwaya tha maine hi CBI Officer Pradhan ko phone karke ye jankari di thi.

Par Tumhari Kismat bahut Achhi thi ki Nishchal ko chull mach gayi tumhe nirdosh sabit karne ki. Nishchal ne poori jaan laga di thi tumhe nirdhosh sabit karne mein. Aakhir kar wo safal ho hi gaya aur tum bach gayi.

Pata nahi Nishchal ko tum-me itna interest kyon hai. Kyon wo tumhein har baar bachaane aa jata hai. Kahin tumhare aur Nishchal ke bich kuchh chal to nahi raha hai. Matlab Tum use kuchh deti ho jiske karan wo tumhari jaan bachataa ho. maine suna tha ki tum uske ghar mein rahti thi. Kahin tum uski keep to nahi ho.


Rawat ki baat sunkar Sarita krodh se kanpne lagi aur funfkarte huwe boli.


Sarita- Apni jubaan ko lagaam de Rawat. Nahi to teri Jubaan kheench lungi main. Tu jitna ghatiya insaan hai usase bhi jyada ghatiya teri soch hai. Tu kya jane kisi ke prem ko kisi ke vishwash ko, kisi ke apnepan ko. Tujhe to Rishton ko todnaa ataa hai. Rishto ki ahamiyat ko tu kya jane.

Tujh jaise neech insan ko mere aur nishchal Sir ke rishte ke bare mein baat karne ka koi adhikaar nahi hai. Wo Bas mere boss hain aur main unke undar kaam karti hoon, isliye wo mujhe bachaate hain.

Meri jagah agar koi aur bhi musibat mein huwa to bhi Nishchal Sir wahi karenge jo wo mere liye karte hain. Itne din mein to main itna jaan hi gayi hoon ki Wo kitne achhe insan hain, lekin main tujhe kyon ye bata rahi hoon. Teri soch hi ghatiya hai to tu ghatiya hi sochegaa.


Sarita ki baat Sunkar Rawat ne Sarita ka munh pakad liya aur dabane laga. Jiske karan Sarita ko dard hone laga to wo apna chehra idhar udhar karne ki koshish karne lagi. Rawat ne uske munh ko dabakar jhatke se chhodte huwe kaha.


Rawat- Jitna uchhalna hai, jitna chillana hai chilla le. Tujhe yahan bachaane is baar tera wo yaar Nishchal nahi aayegaa. Aur tu itna bhadak kyon rahi hai. Main sahi to kah raha hoon. Khair jane de. Tujhe suspence me nahin rakhta hoon aur aage ki kahaani batata hoon.


Main kah raha tha ki jab nishchal ne tujhe bacha liya rishwat wale jhuthe case se to Mera poore kiye karaye par pani phir gaya tha. Mujhe bahut gussa aa raha tha. fir mere aadmiyon ne tumhare ghar par tumpe hamla bhi kiya lekin fir se Us Nishchal ne aakar tumhe bacha liya….

Maine gupt roop se tumhara Transfer bhi karwane ke liye poora jor laga diya tha, lekin pata nahi ye baat Nishchal ko kaise pata chal gayi aur usne apne baap Mahendra se kahkar CM ko tumhara transfer rokne ki sifarish kar di aur CM ke yaha se head Quarter mein letter aaya ki Tumhara Tranfer bina unke Aadesh ke na kiya jaye.

Us samay mujhe itna gussa aaya ki man kar raha tha ki tumhe usi samay jan se maar doon. Lekin main sahi mauke ki talash karne laga. Hospital mein bhi maine tumhe marne ka socha tha, lekin Nishchal ne Poore hospital mein Police ka jaal bicha rakha tha,

Har Wakt ya to Uske dono chamche ya to Mohit tumhari suraksha mein rahta tha ya Jawed tumhari surakhsha mein rahta tha. Un dono ke hote huwe main tumhara kuchh nahi bigaad sakta tha.

tab maine socha ki tumhe aise samay nishana banaunga jab Samay Hamare anukool ho aur tumhare aas paas na Nishchal ho aur Na hi uske dono chamche mohit aur jawed aur dekho aaj wo samay aa gaya hai.


Itna bolkar Rawat jor jor se hansne laga. Uske Hansne se Sarita ko bahut gussa aa raha tha, Lekin wo chah kar bhi kuchh nahi kar sakti thi. Nishchal ke bare mein itna kuchh jankar use nishchal ki bahut yaad aane lagi.


Sarita ne apni aankhe band kar li to uske jehan mein Nishchal ke sath bita huwa ek ek pal yaad aane laga. Uski aankho se aanshu nikalne lage. Mano ab wo aanshu Nishchal ke sath bitaye huwe pal ko baha le jana chahte ho.


Neta Sarita ko giddh jaisi najaro se dekh raha tha. Sarita ki aankho mein aanshu dekh kar wo aage badha aur Sarita ke paas jakar khada ho gaya. wo hath badha kar uske chehre ko chune laga aur uske aanshu pochhte huwe bola.


Neta- Tumhare is khoobsurat chehre par ye aanshu bilkul bhi ache nahi lagte. Chup ho jao meri jaan. Aise rote nahi.
Neta ke chhune se Sarita ko bahut jor ka gussa aaya aur wo chillate huwe boli.

Sarita- Haath bhi mat lagana mujhe kamine. Nahi to bahut bura hoga tere sath. Door hat mujhse.


Sarita ki baat ka neta ke upar koi prabhav nahi pada aur wo apne kaam mein laga raha to Sarita ne uski ungli apne munh mein le li aur jor se kaat liya. Jiske karan uske munh se cheekh nikal gayi. Usne gusse mein kheechkar ek thappad Sarita ko mara aur bola.


Neta- Sali. Kutti kamini. Hamse panga le rahi hai. Abhi tak to bas chehra hi chhu raha tha, lekin tune mujhe dant katkar achha nahi kiya. Ab tu pachhtayegi aur us wakt ko kosegi jab tune ye harkat ki thi.


Fir neta Rawat ki taraf dekhne laga. Rawat ne apni gardan hilakar ishara kiya to usne kaha.


Neta- Sabse pahle to iski akad todenge fir ise marenge. Ham sab milkar pahle iske Is khoobsurat badan ko masalenge. Ise rulayenge, tadpayenge. Ise bahut ghamand hai na apne hushn par. To pahle iske hushn ka bhog lagayenge fir ise marenge. Aakhir aisi najuk aur khilti hui khatarnak kali ham logo ko dobara milne se rahi.


Neta ki baat sunkar Sabhi ki aankho mein vasna bhar gayi aur sabhi Sarita ke jism ko hawas bhari najar se dekhne lage.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..

Bada bikat paristhiri ban gaya hai. Ek ke baad ek part khulta ja raha hai. Aur sarita ko sirf jhatke hi mil raha hai. Rawat ne kitna kuch kiya taki sarita ko apne raste se hata sake par aisa ho na paya. Har baar nishchal kuch na kuch karke sarita ko bacha liya.

Ab jis paristhithi me sarita phasi hai is jagah se sarita kaise bachegi kiya nichshal samay par pahuch payega ya phir sarita hi kuch aisa karegi jise uski jan bache aur rawat ke chungal se nikal bhage.

Adbhut atulniya lekhan kaushal:clapclap::clapclap::clapclap:
 
Will Change With Time
Super-Moderator
25,319
19,148
143
UPDATE- 93


Neta ki baat sunkar Sabhi Jor jor se hansne lage aur Sarita ke jism ko ghoorne lage. Ye dekhkar Sarita ko thoda dar lagne laga aur wo boli.


Sarita- Tum mujhe marna chahte ho to maar do. Abhi maar do mujhe. Isase achha mauka tum logo ko kabhi nahi milega, Kyonki agar main yaha se bachkar nikal gayi to tum sabko kutto se bhi badtar maut dungi. Isliye der mat karo aur mujhe maar do.

Rawat- Maar denge. Maar denge… thoda sabar to rakhiye inspector Sahiba. Abhi tum neta ji aur hamara manoranjan to karo. Tumhari wajah se hi neta ji gussa huwe hain to unka gussa tumhe hi shant karna hoga.

Agar unka gussa shant ho gaya to shayad tumhari izzat ke chithade nahi udenge. Pahle hame khush aur tript kar do apni jawani se fir aaram se mar jana.

Sarita- (chillate huwe) Aisa kabhi nahi hoga. Main mar jaungi magar tum logo ko apne jism ko hath bhi nahi lagane dungi. Tum sab kutte ho kamine ho, namak haram ho. bahut buri maut maroge tum sab.


Neta ne waha par khade ek aadmi ko ishara kiya to wo Sarita ko pakadkar ghasit-ta huwa ek kamre mein le gaya. Sarita chahkar bhi kuchh nahi kar paa rahi thi. uske hath panv bandhe huwe the.


Do din se usne kuchh khaya piya nahi tha to uske sharir mein jyada jaan nahi bachi thi. use samajh mein nahi aa raha tha ki wo kaise apne aapko in haiwano se bachaye?? Uski aankho se jhar jhar aanshu bah rahe the.


Wo Aadmi Sarita ko kamre mein chhodkar chala gaya. Kuchh der baad neta kamre mein aaya to Sarita kamjori ke karan behosh ho chuki thi. Neta uske paas aakar use hosh mein lane ki koshish kar raha tha. par wah aise hi padi rahi. Neta gusse mein kamre se nikalkar Rawat ke paas gaya aur bola.


Neta- Wah to behosh ho gayi hai Rawat.

Rawat- (muskurate huwe) Aapko jo bhi karna hai wo aap kar lijiye na. isase kya fark padta hai ki wo hosh mein hai ya behoshi mein. Behoshi mein bhi Maza utna hi degi wo jitna hosh mein rahne par deti.


Rawat ki baat sunkar Neta ko aur bhi jyada gussa aa gaya aur wo apne hatho ki ungli Rawat ko dikhata huwa bola.


Neta- Kaise nahi matlab hai Rawat. Usne hame apne pure hosho-hawas mein yah Nishan diya hai to ham bhi uske hosh mein aane ke baad hi uski izzat tar tar karenge. Aakhir mujhe uski cheekh jo sun-ni hai. aise mauke par jab tak Kamsin kali chillati nahi hai roti nahi hai tab tak mujhe maza nahi aata.

Rawat- Tum tharki ke tharki hi rahoge.

Neta- Tum bhi kuchh kam nahi ho.

Rawat- Lekin abhi hamare paas jyada samay nahi hai. Sir aate hi honge.


Rawat ki baat sunkar Neta ne paas khade ek aadmi se kaha.


Neta- Ek jug pani lejakar uske munh par dalo aur koshish karo ki wo hosh mein aa jaye.


Neta ki baat sunkar wo Aadmi ek jug pani lekar gaya aur Sarita ke munh par dal diya. Jisase Sarita ko hosh aa gaya. Usne neta ko kamre mein bulaya. Neta ne us aadmi se kaha.


Neta- Iske hath pair khol do. Tabhi ise chakhne mein maza aagyega. Ab ismein itni takat nahi hai ki ye yaha se bhaag paye.


Neta ki baat sunkar wo aadmi Sarita ke hath panv ki rassi kholne laga. Rassi khul jane ke baad Sarita ne us aadmi ko jor ki ek lat mari. Jiske karan wo aadmi piche gir pada. Uske girne ke baad Sarita furti se khadi hui aur us aadmi ki gun utha li jo usne uski Rassi kholte samay rakhi thi.


Gun uthane ke baad Sarita ne us aadmi par fire kar diya. Kamre mein goli chalne ki aawaz sunkar Sab kamre ki taraf badhe. Neta dar ke mare side ho gaya to Sarita kamre se bahar aa gayi. Sarita ke hath mein gun dekhkar Sab dar gaye. Sarita ne Turant Nishana Rawat ki taraf karte huwe kaha.


Sarita- Agar kisi ne bhi ek bhi kadam aage badhane ki koshish ki to main Rawat ka bheja uda dungi. Sabhi apni apni gun niche kar lo.


Sarita ki baat sunkar Sabhi ne apni gun niche kar li. Rawat ne apne ek aadmi ko aankho se kuchh ishara kiya to wo aadmi dhire dhire niche baithne laga. Uske pair ke paas ek patther tha. usne patthar uthakar Sarita ke hath par mara.


Nishana achuk tha to pathhar siddha Sarita ke hath par laga aur uske hath se gun chhut kar niche gir padi. Sarita gun girte hi turant use uthane ke liye jhuki tab tak Rawat ne apni gun nikal li Jab Tak Sarita gun uthati tab tak Vatavaran mein goli chalne ki aawaz goonj gayi.


Gun ki Aawaz gunjane ke baad Waha Sannata chha gaya. Gun na hi Sarita ne chalayi thi aur na hi Rawat ne chalayi thi. Sabhi Aawaz ki disha mein dekhne lage to Unhe Samne se Nishchal, Jawed aur Mohit ke sath Aata huwa dikhayi diya.


Sarita ne Jab Nishchal ko aata huwa dekha to uski aankhon mein ek chamak aa gayi. Wahin Rawat aur neta Nishchal ko yaha par dekhkar hairan rah gaye.


Rawat man hi man badbadaya- ye yaha par kya kar raha hai aur yaha par pahuch kaise gaya. Ye to apne ghar gaya huwa tha.


Rawat ne Nishchal ko dekhkar kaha.


Rawat- Tum. Tum yaha par kaise pahunche.


Sarita ko is halat mein dekhkar Nishchal ke man mein tufaan uth raha tha, lekin usne apne aapko sanyat karte huwe apne jabde ko bhijate huwe kaha.


Nishchal- Itna Chakit hone ki jaroorat nahi hai Sir. Aap sabke paas bhagne ka koi bhi mauka nahi hai isliye bina koi chhu chapad ke apne aapko serender kar dijiye. Warna yahan par lasho ke dher lag jayenge aur uske jimmedar aap sb khud honge.


Nishchal ne ek ek shabd chaba chaba kar kahe the. Uski aankhon se Angare baras rahe the. Nishchal ne jab Sarita ki taraf dekha to wo Aas bhari najaro se use dekh rahi thi. Sarita ki dard bhari aankhe dekhkar Nishchal ka dil hi ro pada. Usne Sarita ko dekhte huwe Apni bahein khol di.


Sarita ne jab ye dekha to wo khud ko sambhal na payi aur Tezi se Nishchal ki or bhagi, lekin isase pahle wo Nishchal ke paas pahuchti. Rawat ne uska hath pakadkar apne paas kheech liya aur uski kanpati par gun taan di. Nishchal ne jab ye dekha to uski aankho mein jaise khoon utar aaya aur wo chillakar bola.


Nishchal- Sarita ko chhod do. Nahi to koi bhi yaha se zinda nahi ja payega.

Rawat- (hanste huwe) Mujhe tum bewkoof samajh rahe ho. Mujhe pata hai ki jab tak ye hamare sath hai tab tak tum kuchh bhi nahi kar sakte. Main tumhari aankho ke samne hi ise marunga aur tum khade khade tamasha dekhoge. Kuchh kar nahi paoge.


Fir Rawat neta ki taraf dekhte huwe bola.


Rawat- Sabhi mere pichhe pichhe aao. Jab tak ye chidiya mere kabje mein hai tab tak koi bhi goli nahi chalayega.


Nishchal Rawat ki baat sunkar Apne man mein sochne laga ki ab ise iski asli aukat dikhani padegi. Mujhe kuchh aisa karna padega jisase ye yaha se bhag na paye. Yahi sab sochkar nishchal ne kaha.


Nishchal- Maine aapko apne pita ke saman mana tha. Hamesha aapka samman kiya. Aapki har baat mani, lekin mujhe nahi pata tha ki aap aise nikloge.

Rawat- Main bhi tumhe apna beta manta tha aur abhi bhi manta hoon. Isme koi shak nahi ki tum ek honhar aur kabil police officer ho. tum chaho to mera sath de sakte ho. Ham Poore desh mein raaj karenge.

Kya rakha hai aise imaandar banker Naukari karne mein. Bas mahine ke aakhir mein ek bandhi bandhai pagar. Jisase ghar bhi bahut mushkil se chalta hai. mahina khatam hote hote paiso ke lale pad jate hain. aisi naukari mein kya bhavishya hai tumhara. Mere Saath aa jao tumhe ek hi raat mein karodpati bana dunga.


Nishchal se Baat karne ke baad Rawat ne apne Aadmiyo se kaha.


Rawat- Abhi koi goli nahi chalayega, kyonki ye 3 log hi hain. Agar kuchh bhi hoshiyari karein ye log to uda dena par abhi mujhe samjhane do.


Nishchal ne apna dimag lagaya aur use yahi sahi laga ki Rawat ko bato mein uljhaye rakhna chahiye aur koi aur Rasta sochna chahiye jisase wo Sarita ko Sahi salamat uske changul se chhuda sake. Rawat ki baat sunkar Nishchal ne kaha.


Nishchal- Aapko shayad pata nahi hai ki main kiska beta hoon. Karodo rupaye mere liye koi mayne nahi rakhte. Mere paas khud hi arbo kharbo ki sampatti hai. Mujhe in paiso ka koi moh nahi hai.

Agar paiso ka moh hota to main Apne papa ka business sambhal raha hota, ye 50000 – 60000 Rs. Ki naukari nahi kar raha hota.

Rawat- Wo Arbo kharbo ki sampatti tumhari nahi hai Nishchal. Wo tumhare baap ki hai, jisme se tumhe kuchh lene ke liye apne baap ki permission leni padegi. Lekin mere sath rahne par tumhara khudd ka paisa hoga.

Tumhe abhi lag raha hai ki tumhe paiso ki jaroorat nahi hai, lekin jab tumhari shadi hogi, bal bachhe honge tab tumhe paiso ki ahamiyat ke bare mein pata chalega. Isliye meri baat maan lo aur mere sath aa jao.

Nishchal- Aaap aisa kaun sa kaam karte hain jo mujhe rato raat karodpati bana denge.

Rawat- Pahle tum ek baar hamare dhandhe mein ghuso to sahi fir tumhe sab apne aap hi pata chal jayega ki ham kaun sa kaam karte hain. nahi to wahi roj imaandari ki naukari karte-karte ghis jaoge.

Nishchal- Aapko sharam aani chahiye Aisi baatein karte huwe. Aap jaise logo ki hi wajah se logo ka police par se bharosha uth chuka hai. aap jaise logo ki wajah se hi apradhi khuleaam apradh karke bach nikalte hain, Kyonki unko pata hai ki wo chahe kuchh bhi kar le, unko chhudane wala to police deparment mein hi hai.

Apradhi ko ham log pakadne pahuchte hain to pata chalta hai ki use pahle se hi hamare aane ki information mil gayi hai aur wo aaram se waha se nikal jata hai.

ye to nahi pata ki department ke kitne log aapse mile huwe hain, lekin mujhe poora vishwas hai ki Amit ko bhi aapne aise hi fansaya hoga. Aapko apne ohade ka galat use karte huwe tanik bhi sharam nahi aayi.

Rawat- (hanste huwe) Ohhhhh Amit.. poor boy. Use to meri asaliyat pata hi nahi hai. wah to itna lalchi tha ki Bachha Singh ke thoda sa hi lalach dene par maan gaya tha.

ye badi badi bate jo tum kar rahe ho na usase zindagi nahi chalti hai Uske liye Khoob sara paisa chahiye jo ki mehnat aur Imandari ki Naukri mein nahi mil sakta hai.

Nishchal- Milta to bahut kuchh hai imandari ki Naukri karke par aap jaise log kabhi bhi nahi samajh sakte is baat ko. Agar Imandari ki naukari karne par kuchh bhi na milta to main aaj apne papa ka business sambhal raha hota. ye DSP ki Naukri nahi kar raha hota.

lekin aap jaiso ko ye batane se koi matlab nahi hai. Kyonki aapka jameer mar chuka hai. Aapki insaniyat mar chuki hai. Aap jo ye sab kar rahe hain na. ek samay aisa jaroor aayega jab aapko apne aap par hi sharam aayegi. Chain sukun neend sab kuchh chhin jayega fir aap bas apne aapko kosne ke alava aur kuchh nahi kar payenge.

Rawat- In faltu ki bato mein kuchh bhi nahi rakha hai. Abhi bhi samay hai tum chaho to hamare sath hath mila sakte ho.

Nishchal- Jab aapka hath milane layak bachega tab to.


Itna kahkar Nishchal ne uske hath par nishana lagaya aur gun chala di. Lekin Rawat ne Firti dikhate huwe apne aapko bacha liya aur bola.


Rawat- Nishchal. Tumne bahut badi galti kar di. Ab Ye ladki nahi bachegi.


Itna kahkar Rawat Ne Sarita ki banh ko kaskar pakada aur gun ka dabav Sarita ki kanpati par badhakar drigar dabane laga. Rawat Isase pahle ki Drigar daba pata Ek goli Aakar uske kandhe par lagi.


Jiske karan uske hath se banduk chhutkar gir padi. Rawat ladkada gaya aur uski pakad Sarita ki banh par kamjor pad gayi. yahi sahi mauka tha Sarita ke bach nikalne ka. Sarita Rawat ka hath jatak kar Nishchal ki paas chali gayi.


Sabhi ne Goli chalne ki disha mein dekha to Waha par Amit khada huwa tha. Amit ko dekhkar Nishchal, Mohit, Sarita, Jawed aur Rawat Sabhi chauk gaye. Nishchal ne Amit se kaha.


Nishchal- Amit. Tum yaha.

Amit- Jai hind Sir.

Nishchal- Pahle tum ye batao ki tum yaha kya kar rahe ho. tum bhi to Inke aadmi ho to tumne Inpar goli kyon chalayi. Tum yaha par pahuche kaise.

Amit- main manta hoon ki maine anjane mein in logo ka sath diya hai. lekin mujhe apni galti ka ehsas ho gaya hai. mujhe Bachha singh ke ek aadmi se pata chala ki Madam ko kidnap kar liya gaya hai aur Isliye aapne Bachha singh ko pakad liya hai.

Mujhe ye jankar bilkul bhi achha nahi laga, Kyonki madam ne jo kiya tha abhi tak bilkul sahi kiya tha. Main bhi apni bhool sudharna chahta tha isliye main bhi madam ko khojne ke liye nikla tha, lekin tabhi maine aapko dekha aur apke pichhe lag gaya.

Main yaha par tabhi se hoon. Jab se aap yaha par hain, lekin main samne isliye nahi aaya ki mujhe laga ki ho sakta hai ki samne aakar main aapki koi madad na kar paun jo main chhupkar aapki madad kar pata.

Isliye main ek kone par chhupkar sab kuch dekh aur sun raha tha, jab Rawat Sir ne madam ko marne ki koshish ki to mujhe laga ki ab mujhe samne aa jana chahiye Sir.

Nishchal- Tum mujhe Sir kahne ka hak kho chuke ho. Tum bhi Rawat ki tarah gaddar aur dhokhebaz ho. tumhare munh se jai hind Shobha nahi deta.

Amit- main manta hoon ki maine bahut si galti ki hai, lekin mujhe apni galti aur dhokhe ka ehsas ho gaya hai. Jis din se aapne mujhe Barkhast kiya Us din se main chain se so nahi paya hoon.

Meri patni ko jab ye baat pata chali to wo bhi mujhe chhodkar chali gayi. wo bolti thi ki wo kisi mehnat majdoori karne wale aadmi ke sath to rah sakti hai lekin ek gaddar aur dhokhebaz insan ke sath nahi rah sakti. jo aadmi apni Wardi se Wafadari nahi kar saka wo mere sath kya wafadari karega.

Us din mujhe mahsoos huwa ki maine paise ki lalach mein Kinta bada apradh kar diya. Main manta hoon Sir ki meri is galti ki koi maafi nahi hai. lekin fir bhi mujhe ek mauka dijiye. Main sabit kar dunga ki main bhi Mohit Sir aur Jawed Sir ki tarah Imandari se desh ki sewa karunga.

Bade se bade gunde ko bhi Court Sudharne ka ek mauka deti hai Sir. Kya aap mujhe sudharne ka ek mauka nahi denge.


Rawat jo bahut der se unki baatein sun raha tha. wo Amit se bola.


Rawat- Amit. Ye tum kya kah rahe ho. tumhe yaad nahi hai ki Nishchal ne hi tumhe naukari se nikala tha aur aaj tum usi ke samne gidgida rahe ho.


Rawat ki baat sunkar Amit ko bahut gussa aaya aur wo jakar Rawat ki gireban pakadta huwa bola.


Amit- Chup. Bilkul chup. Main manta hoon ki main thodi der ke liye apne kartavya se bahak gaya tha, lekin main tere tarah begairat insan nahi hoon jo itna niche gir jaun. Thodi der pahle tune kya bola tha mujhe. Poor boy.

Haan main poor boy tha us samay jo tere bichhaye huwe jaal mein fans gaya tha, lekin ab aisa nahi hoga. Mujhe pata hai ki main kya kar raha hoon. Mujhe teri Salah lene ki jaroorat nahi hai Rawat.


Abhi ye log baat kar hi rahe the ki Waha par ek aawaz gunji.



Kya ho raha hai yahan par.


Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
Mast chir haran hone wala tha. Kitna maza aane wala tha sarita ke ek ek kapde yun haba me uchhlta mano tez tufan chal raha ho par ye naspita nishchhal hamesha sahi wakt par hi entry marta hai. Jab bhi sarita musibat me hoti hai na jane kaise sarita ko sungte huye pahuch hi jata hai.

Rawat to hai bada hi begairt inshan sarita ko beti kahta tha. Aur ab usi muh boli beti ke chir haran karwane par tula hua hai.

Adbhut atulniya lekhan kaushal:clapclap::clapclap::clapclap:
 
Eaten Alive
4,118
4,186
143
ab kya hi revo de aur kya hi bole..... Mahi Maurya ji ne apni mann marzi chala hi li.... meri ek naa suni.......

What is that one thing that makes a story interesting? ........
Abhishek! Yes abhishek......Is story ki shuruat mein hi Abhishek ke role aada kari ki wajah se is story ko padhne mein Aur zyada interest ekdum se badh gayi thi.......

Story ka flow tight ki apne......Lekin aapko ye baat bhoolni nahi chahiye ki aksar 80 % readers story mein entry lene wale kirdaaro ko hi as lead kirdaar apnate hai....aur ant tak unhe hi lead characters maante hai...
..khair readers ka dhyan samete rakhane mein nishchal aur sarita kamyaab rahe par us level pe nahi.......I think nischal ki entry bahot pehle ho jaana chahiye tha.....
One more thing I really like about this story is that it seems fantasy and not close to reality. Coz real life mein shayad hi aisa hota ho

Aur ish story ko 100 + update ki maturity se likha gaya hai, bilkul to the point. Zara bhi be matalab ki baatein nahi hai kahin bhi. It's true it's hell damn true..... warna readers mujhse hi kyun bhid jaate nischal savita ke liye.....

Normally mein review mein roast karti hoon agar meri nazar mein kahin story improvement ho sakti thi ......Lekin.......flow mein gadbada jaati story.....

Ab ish se aage aur kya kahu
 
Will Change With Time
Super-Moderator
25,319
19,148
143
UPDATE- 94


Abhi Rawat aur Amit dono baat hi kar rahe the ki Waha par ek aawaz gunji.


Kya ho raha hai yahan par.


Sabhi ne aawaz ki disha mein dekha to Wahan par DIG Sir apne aadmiyo ke sath waha par Khade the. DIG ko waha dekhkar Sarita, Nishchal, Jawed aur Mohit chauk gaye. DIG sir ko dekhte hi Sabhi ne unhe selute kiya. Nishchal ne DIG se kaha.


Nishchal- Sir Aap yaha par.

DIG- Haan Mujhe khabar mili thi ki Sarita ko kidnap karke yahi par rakha gaya hai.


Nishchal DIG ki baat sunkar Nishchal sochne laga ki Usne Sarita ki kidnaping ki khabar kewal Uske kuchh bharoshemand Offiers ko hi batayi hai. Fir DIG Sir ko kaise pata chala ki Sarita ko kisne kidnap kiya hai.


Kahi ye to nahi mile huwe hain Rawat ke sath. Are nahi nahi. Ye main kya soch raha hoon. Sir kaise ho sakte hain. Nishchal ko is tarah se sochta huwa dekhkar DIG Sir ne kaha.


DIG Sir- Kya soch rahe ho Nishchal. Mujhe Thane ke ek hawaldar ne bataya ki tum Sarita ko khoj rahe ho to maine socha ki apne department ki ek kabil officer ko khojne mein main bhi tumhari koi madad kar doon. Isliye main tumhare pichhe pichhe chala aaya. Lekin yaha aakar dekhta hoon ki mere hi department ke officer ne Sarita ko kidnap kiya hai.

Nishchal- Achha huwa ki aap aa gaye Sir. IS kidnaping ke pichhe Rawat Sir ka hath hai. ye gaddar hain aur illigale kaam karte hain.

DIG Sir- Kya. Ye sab Rawat ne kiya hai. Rawat tumne department ko dhokha dekar bahut badi galti kar di. tumhare kiye ki saza main tumhe dunga. Kyonki desh ke sath gaddari karne wale mujhe bardast nahi hain. Apni gun mujhe do. Main khud Rawat ke bachhe ko maut ki neend sulata hoon.


DIG ke kahne par Nishchal ne apni Gun DIG ko de di. DIG ne gun lekar Rawat ki taraf point karte huwe kaha.


DIG Sir- Bolo Rawat tumne aisa kyon kiya. Kyon desh ke sath gaddari ki. Kyon Police department ko dhokha diya. Main tumhe chhodunga nahi. Agar tumhari koi aakhiri khwahish ho to wo kaho nahi to marne ke liye taiyar ho jao.

Rawat- Sir. Mujhse bahut badi galti ho gayi. main aage se aisi galti nahi karunga. Mujhe maaf kar do.


Itna kahkar Rawat jor jor se hansne laga. Use hansta dekh kar sabhi Uski taraf dekhne lage. Sarita, Mohit, Jawed, Amit ko kuchh samajh mein nahi aa raha tha. Nishchal ne Rawat se kaha.


Nishchal- tum pagal ho gaye ho kya. Maut tumhare sir par khadi hai aur tum hans rahe ho.

Rawat- Maut aur mere sir par. Lagta hai tum pagal ho gaye ho jo apni Gun DIG Sir ko de di tumne. Udhar dekho.


Nishchal ne jab DIG ki taraf dekha to usne Gun Sarita ki kanpati par lagayi hui thi. Nishchal ne ye dekhkar kaha.


Nishchal- Ye aap kya kar rahe hain Sir. Aap Rawat ko marne ke bajay Sarita ki taraf point kyon karke khade huwe hain.

DIG- (hanste huwe) Tum bhi bahut bhole ho Nishchal jo abhi tak nahi samajh sake ki main wo nahi hoon jo tum soch rahe ho. main wo hoon jo tum soch nahi sakte. Rawat mera hi Aadmi hai.

Main aur Rawat milkar Barso se ye kaam karte aa rahe hain lekin aaj tak kisi ko pata nahi chala ki Shahar mein jitni bhi gair kanuni gatividhiyan ho rahi hai usme hamara hi hath hai. Bachha singh to hamare hatho ki kathputli hai. Ye neta bhi ham logo ke sath hi hai.

Rawat boss aur main Sarkaar hoon Apne chamcho aur Bachha singh ke liye. Agar kisi ko hamara raaz pata chala to wo sidhe bhagwan ke paas pahuch gaya. Hamne na jane kitne katal kiye hain apne dhandhe ko aage badhane ke liye.

Lekin jab se ye ladki aayi hai. Isne hamari naak mein dam karke rakh diya hai. Baki ka to tumhe Rawat ne bata hi diya hoga ki ham ise marne ke liye kidnap kiye hain. to ab tum bhi dekho iski maut ka najara.

Nishchal- Lekin Bachha Singh se to aap baat nahi karte the. Usase to ye rawat aur ye neta hi baat karta tha. To sarkaar aap kaise ho gaye. Aap jhunth bol rahe hain na Sir.

DIG- Tumhein kaise pata chala iske bare mein ki main Baat nahi karta tha Bachha Singh se. Tumhein kaise pata chala ki Rawat aur neta baat karte the bachha Singh se.


Abhi Nishchal kuchh kahta usase pahle hi Rawat bol pada.


Rawat- Sir wo Sarita ka koi bhaai hai jisne meri aur neta ki tasweer banayi thi.

DIG- (chauk kar) kya Iska bhaai. Kaun hai wo. Jo hamein janta hai. Usko dundho aur jaan se maar do. Nahi to wo ham logon ke liye khatra ban sakta hai.

Rawat- mujhe nahi pata ki wo kaun hai. Sarita bhi kuchh nahi bata rahi hai. Lekin aap fikar mat kariye. Use ham kisi bhi haal mein dhoondh lenge aur kutte ki maut marenge.

DIG- Good, to nishchal tum jan-na chahte the na ki Neta Sarkaar hai to main Sarkar kaise huwa to mere pyaare Nishchal baat ye hai ki Main itna bewkoof nahi hoon jo sabke samne aata rahoon. Meri jagah par ye neta baat karta tha. Chalo ab bahut huwa sawal jawab, ab marne ke liye taiyar ho jao.


Itna bolkar DJG ne Trigar daba diya, Sarita ne dar ke mare apni aankhe band kar li, lekin DIG ko sabse bada jhatka tab laga jab Trigar wo dabta gaya lekin goli nahi chali. Nishchal ne apni pant ke pichhe khonsi hui gun nikali aur DIG ki kanpati par laga di aur hanste huwe bola.


Nishchal- Kyon DIG Sir kya huwa. Goli nahi chali. Wo goli yahan par hai.


Itna kahkar Nishchal ne apni mutthi kholi aur DIG ke aage kar di. DIG ne dekha ki Nishchal ke hath mein goliya thi. Ye dekhkar DIG apni gun nikalne ki koshish ki to Nishchal dahadte huwe bola.


Nishchal- Koshish bhi mat karna DIG. Nahi to tera bheja uda dunga.

DIG- Itna bada dhokha mere sath. Main tujhe chhodunga nahi.

Nishchal- Chup kar gatar ki paidaish. Tumhe to apna boss bolte huwe bhi mujhe sharam aa rahi hai. Tujh jaise insan ko jeene ka koi hak nahi hai, man to kar raha hain ki main tum sabhi ko abhi ke abhi goli maar doon aur ye kissa yahi khatam kar doon, lekin main mazboor hoon.


Sarita Aakar Nishchal ke pichhe khadi ho gayi. Sarita ne dhimi aawaz mein Nishchal se poochha.


Sarita- Aapko kaise pata chala ki DIG bhi Rawat se mila huwa hai.

Nishchal- Tumne wo kahawat to suni hogi na ki jo Apne aapko bahut shatir aur hoshiyar samajhta hai wo bhi kabhi na kabhi koi na koi galti jaroor karta hai aur wo uski aakhiri galti hoti hai. ye DIG bhi apne aapko bahut shatir aur chalak samajhta hai, lekin isne ek galti kar di.

Tumhara kidnap huwa hai ye baat Mujhe, Mohit, Jawed, Janhavi, Ranjana, Kaushal aur Vikas ko hi pata hai. iske alava Abhi tak ye baat maine kisi ko nahi batayi hai.

Jin logo ko Tumhari kidnaping ke bare mein pata hai wo bahut bharoshemand log hai. wo kisi ke samne is baat ko jahir nahi karne wale to hawaldaro ko pata hona door ki baat hai to inhe kis hawaldar ne bata diya.

Doosri baat jab inhone kaha ki unhe yahan aakar pata chala ki unke hi department ke officer ne tumhe kidnap kiya hai. tab mera shak bilkul pukhta ho gaya. Kyonki Rawat ne tumhe kidnap kiya hai ye baat main, Jawed aur Mohit ke alawa kisi ko pata nahi hai.

lekin jab inhone ye baat kahi to ye mere sandeh ke ghere mein aa gaye aur Mujhe yaha par aaye lagbhag aadhe ghante bit chuke hain agar ye mere pichhe piche yaha par aaye hai to abhi tak kaha the.

Isi bat ko lekar mujhe shak huwa inpar isliye jab ye baat kar rahe the tabhi maine apni gun khali kar di thi. mujhe pura bharosha tha ki ye mujhse gun jaroor mangenge. Kyonki is wakt mere hath mein hi gun thi aur ye mujhe nihattha jaroor karte.


DIG- Tumne ye bilkul bhi Achha nahi kiya. Itna bada dhokha kiya tumne mere sath. Tum bachoge nahi.

Nishchal- Dhokhebaz ke sath dhokhebazi hi ki jati hai. Tum kya samajhte the ki duniya mein tumhi ek chalak ho baki sab bewkoof bhare pade hain. lekin tum ye bhool gaye ki tumhare samne Nishchal Singh Rathod khada tha. jisko bevkoof banana itna aasan nahi hai. tumhara khel khatam ho chuka hai.


Rawat ko Amit ne pakad rakha tha. DIG aur Nishchal ki vartalap ka laabh uthakar Rawat ne Amit ko dhakka de diya Jiske karan uska balance bigad gaya aur wo niche gir pada. Uske niche girte hi Rawat ne jameen par padi apni banduk utha li aur Nishchal ke upar fire kar diya.


Goli Nishchal ke hath mein lagi. Jiske karan uski gun uske hath se chhut gayi. ye dekhkar Jawed ne apni gun se Rawat par fire karne ka socha, usase pahle hi Rawat ne Jawed ke hath mein goli maar di.


Jiske karan Jawed ki gun bhi niche gir padi. Mohit ne furti se apni gun se Rawat ke upar fire kar diya. Goli Rawat ki kalayi mein lagi aur wo cheekh marker gir pada.


Idhar mauke ka fayda uthakar DIG ne Apni gun nikal li aur Nishchal ke goli lagne se disbalance hone ke karan Sarita ki kalayi pakada aur use apni taraf kheech kar uski kanpati par gun rakhte huwe kaha.


DIG- Bas Bahut ho gaya ye chuhe billi ka khel. Ab Is khel ko samapt karne ka samay aa gaya hai. Is poore fasad ki jad ye ladki hai. Isi ke karan aaj hame sabke samne aana pada. Sabse pahle iska hi khel samapt kar deta hoon. Sari jhanjhat hi khatam ho jayegi.

Nishchal- DIG. Bhool kar bhi aisi galti mat karna. Nahi to Tere sare khandan ka namo Nishan mita dunga.

DIG- Jab bachoge tab to Mere khandan tak pahuchoge na. Is ladki ke baad tum logo ka hi number hai.


Itna kahkar DIG ne Sarita ko marne ke liye drigar dabata usase pahle hi Ek goli aakar uske baju mein lagi. Goli lagne ke karan uske hath se gun chitak gayi aur Wah ladkhadakar jameen par gir pada. Jab Sabne Aawaz ki disha mein dekha to Waha par Abhishek khada huwa tha.


Abhi koi aur kuchh action leta Tab Tak Vikas aur Kaushal poori police force lekar andar aa gaye. Un dono ke sath SSP Sir Bhi the. Ye sab dekhkar Neta waha se bhagne laga to Mohit ne uske pair par goli maar di. Neta Hiii ammi hiii ammi chillate huwe wahi gir pada.


Police force ko dekhkar Rawat aur DIG ke aadmiyon ne dar ke mare idhar udhar goli chalani shuru kar di. Nishchal ne jhat se Sarita ko cover kiya aur use ek kinare par le gaya. Police force ne apni apni posision le li thi.


Udhar se goliya chalne ke baad Nishchal ne Kaushal ko ishara kiya to sabne firing karni shuru kar di. Is firing mein DIG aur Rawat ke kayi aadmi mare gaye aur kai ghayal bhi ho gaye. Police walo ko bhi goli lagi.


SSP, Mohit aur Nishchal ne Neta, DIG aur Rawat ko is kabil nahi chhoda tha ki wo tino waha se bhag paye. Tino ke dono pairo mein goliya mari gayi thi. Rawat ke hath mein do goli aur DIG ke hath mein ek goli lagi thi.


Thodi hi der ki firing ke baad waha par sabkuchh shant ho gaya tha. Udhar ke jo aadmi jinda bache the wo jameen par pade karah rahe the. Neta, Rawat aur DIG ek hi jagah pade karah rahe the. Nishchal chalta huwa un tino ke paas gaya aur bola.


Nishchal- maine kaha tha na ki bure kaam ka natiza bahut bura hota hai. Tum logo ne Sarita ko kidnap karke jeewan ki sabse badi galti ki thi, Jiski saza tumhe milni hi thi, lekin ye saza kuchh bhi nahi hai. baki ki saza tum logo ko kanoon dega.


(Vikas ki taraf dekhkar) Vikas jaldi se phone karke ambulance bulao aur Sabko Hospital pahuchao. Jawed ko bhi goli lagi hai use bhi Hospital le jao. In tino ko Special ward mein Bharti karna aur in par kadi najar rakhna. Ye shatir kuchh bhi kar sakte hain.


Nishchal ki baat sunkar vikas ne Ambulance ko phone kiya aur 5-6 Ambulance ek sath manga liya. SSP Sir bhi DIG, Rawat aur neta ke paas pahunch gaye aur teenon ko gusse ze ghurne lage. Fir ek jordar thappad Unhone DIG ke gaal par laga diya aur gusse se bole.


SSP Sir- To in Sare fasad ki Jad tu hai kamine. Tabhi to main sochu ki Sarita jab bhi Gundon ke khilaaf koi Achha kaam karti to tu kyon bhadak jata tha aur phone karke mujhe char baat sunata tha aur us baat ka gussa main Nishchal par nikalta tha.

Lekin ab sab samajh me aa raha hai. Tu to sher ki khaal mein bhediya nikla. Tujhe to main kadi se kadi saza dilwaunga. Chhodunga nahi main tujhe. Mohit le jao is namakharam aur dhokhebaz ko aur achhe se khatirdari karna inki.


Fir SSP ne Aakar Sarita aur Nishchal ko Sabasi di. Sabhi ko hospital le jane ki taiyari hone lagi. Kanoon ke hath jitne lambe hote hain. Media ki naak usase bhi jyada lambi hoti hai. pata nahi kaha se Media ko is baat ki bhanak lag gayi.


Aise masaledar khabar ko cover karne ke liye Sari media waha par ikathhi ho gayi thi. SSP sir ke nidesh se kisi bhi media wale ko andar nahi jane diya ja raha tha.


Poore Shahar mein ye khabar jangal mein lagi aag ki tarah fail gayi thi ki Inspector Sarita Joshi ka kidnap Huwa tha. wo pichhle 3 din se lapata thi, Par DSP Nishchal Rathod aur unki team ne unhe dhoondh nikala hai.


Sab bas ab Sarita ke nikalne ka intezar kar rahe the aur apne sawalo ke sath khade the. Taki usase is bare mein poochha ja sake.


Itna sabkuchh hone ke baad aur maut ke munh se bachkar nikalne ke baad Sarita ekdam bhavuk ho chuki thi. jab nishchal ne uska hath pakadkar chalne ke liye kaha to wo jor se Nishchal ke gale lag gayi rone lagi.


Nishchal ne Yaha aane ke baad pahli baar Sarita ko dhyan se dekh raha tha. Uska Phool sa damkata huwa chehra bilkul murjha gaya tha. uske galo par aanshu bahkar sukh gaye the. Uski kurti ki sleaves fati hui thi, gale, kandhe aur hath mein chot ke Nishan the.


Thappad ke karan Sarita ke dono gal kale pad chuke the. Honth ke dono kinare fate huwe the. Uske baal bikhre huwe the. Nishchal ne Sarita ke sir ko sahlate huwe kaha.


Nishchal- Ab darne ki koi jaroorat nahi hai. Ab main tumhare paas aa gaya hoon na.


Sarita Rote Rote Hichki lene lagi. Nishchal use gale lagaye huwe khada tha. Thodi der baad jab Sarita ki aawaz aani band ho gayi to Usne Sarita ko apne se alag kiya to Sarita uski baho mein jhool gayi. Wo kamjori ke karan behosh ho gayi thi.


Nishchal ne SSP se kuchh baat karke Sarita ko apni god mein utha kar Bahar ki taraf aane laga. Mohit bhi uske sath tha. Nishchal ko Sarita ko lekar aata huwa dekhkar Media wale Uske paas aane ki koshish karne lage lekin mohit Vikas aur Kaushal kisi bhi media wale ko uske paas nahi aane de rahe the.


Jawed bhi Nishchal ke pichhe pichhe chal raha tha. Nishchal ne Sarita ko apni gadi mein dala. Jawed bhi Uske sath gadi mein baith gaya. Dono ko lekar wah hospital chala gaya.


Tab tak Ambulance bhi waha par aa gayi thi. Mohit, Vikas aur Kaushal ne milkar Sabhi ghaylo ko hospital mein admit karwaya. Nishchal ke nideshanusar Neta, DIG aur Rawat ko kadi suraksha ke bich hospital mein rakha gaya.


Udhar Nishchal hospital pahucha aur Sarita ko apni god mein uthakar andar le gaya. Jawed bhi gadi se utarkar andar gaya. Doctor ne uski Malham patti ki aur drip laga diya. Doctor ne Sarita ko drip chadhai aur bataya ki dar aur kamjori ki wajah se wah behosh ho gayi hai. shayad mentally bhi inpar asar pada hai. jaisa bhi hoga wo hosh mein aane ke baad hi pata chalega.


Nishchal ne Phone karke Ranjana aur Janhavi ko hospital bula liya tha. Doctor ne kuchh dawaiya likhi aur Nishchal ko pakda di. Nishchal ne dawaiyo ki parchi Janhavi ko di. Janhavi dawa lane chali gayi aur Nishchal khud Sairta ke pass baith gaya. Ranjana bhi Wahi par baith gayi. Usne Nishchal se poocha.


Ranjana- Kya huwa madam ko sir. Doctor ne kya kaha.

Nishchal- Kamjori ki wajah se ye behosh ho gayi hai. hosh mein aane ke baad hi doctor aur kuchh bata payenge.

Ranjana- Main bahar baithti hoon Sir.


Ye bolkar Ranjana bahar chali gayi. Nishchal Sarita ke chehre ko bahut gaur se dekh raha tha. Sarita ke honth par lagi chot ko wo sahla raha tha. Usne Nurse se dawa lekar Sarita ke chot par laga di. Thodi der baad Sarita ko hosh aa gaya.


Hosh mein aane ke baad Jab Sarita ne apni aankhe kholi to apni aankho ke samne Nishchal ko dekha to wo rone lagi. Nishchal ne turant uska hath pakad liya aur kaha.


Nishchal- Kya huwa?? Tum ro kyon rahi ho. ab sab kuchh bilkul thik hai. tumhe bilkul bhi pareshan hone ki jaroorat nahi hai.


Nishchal ki baat sunkar bhi Sarita roye ja rahi thi. Nishchal ko Sarita ka is tarah rona dekha nahi ja raha tha. usne Sarita ke Sir par hath pherte huwe kaha.


Nishchal- Main hoon na yaha par. Fir kyon ro rahi ho. Agar tum mujhe un logo ke jaisa samajh rahi ho to main…….


Nishchal ki baat poori hone se pahle hi Sarita ne dhire se kaha.


Sarita- Mujhe bhookh lagi hai.


Sarita ki baat sunkar Nishchal Muskura utha aur bola.


Nishchal- Achha. Isliye tum ro rahi thi. main tumhare liye abhi kuchh khane ko lekar aata hoon.


Itna kahkar Nishchal kamre se bahar aa gaya aur Ranjana ko andar bhejkar Hospital se bahar chala gaya.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..

Chhaya ye villan lago ne sare kiye karaye par pani pher diya. Rawat aur neta to naam ka villan tha. Socha tha dig thoda satir niklega par ye begairat bhi kisi kaam ka nehi.ucha makan fika pakwan ye kawat in villano par satheek baithta hai. Sirfi ye lambi chaudi dialogue marna jante hai bas aur kuch nehi.

Kahir jaisa bhi sabhi villan ka haal damdol kar diya gaya. Gayal avastha me sabhi ko ilaaj karwana bhej diya gaya hai. Asli khatirdari in villano ki theek hone ke baad hogi bilkul baise jaise bakre ki mundi udane se pahle use puchkar kar pani aur ghas khilaya jata hai phir ek jhatke me jhatka wala meet bana diya jata hai.

Adbhut atulniya lekhan kaushal:clapclap::clapclap::clapclap:
 

Top