Romance Tumhaare Liye- Ek Prem Kahaani (Complete)

Will Change With Time
Moderator
8,521
16,933
143
UPDATE- 95

Hospital se bahar jakar Nishchal ne ek hotal se khana lekar aaya. Nishchal ne Ranjana aur Janhavi ko wapas PS bhej diya. Nishchal apne hatho se Sarita ko khana khilane laga. Khana khate huwe Sarita ki aankho se aanshu bah rahe the.

Nishchal ne pyaar se uske aanshu poche aur khana khilaya. Uske baad usne Sarita ko dawa di aur use sone ke liye bol diya. kuchh der mein Sarita so gayi.

Nishchal uske paas baitha raha. Uski aankho mein is samay aanshu nikalne laga. Nishchal man hi man sochne laga.

Nishchal- Tumhe nahi pata Sarita ki tumhe is halat mein dekhkar mujhe kitni takleef ho rahi hai. agar tumhe kuchh ho jata to main to jeete ji mar jata. Main tumhe bahut pyaar karta hoon. Tumhe khote huwe mujhe bahut dar lagta hai.

Jab jab un logo ne tum par gun tani to meri jaaan hi nikal gayi thi. us samay maine apne aapko kaise sambhala ye main hi janta hoon, lekin ab bahut ho gaya. Ab main tumhe kisi bhi musibat mein nahi padne dunga.

Yahi sab sochte huwe Nishchal utha aur bahar chala gaya. Bahar aakar usne Manisha ko phone kiya. Manisha ne phone uthate hi poochaa.

Manisha- Hello Boss. Didiya ka kuchh pata chala.

Nishchal- Sarita mil gayi hai aur wo mere sath hi hai.

Manisha- (Khushi se uchhalte huwe) Kya Sach mein boos. Kaisi hai didiya. Use kuchh huwa to nahi hai na. wo thik to hai na.

Nishchal- Haan haan Chhote miya. Wo bilkul thik hai. use kuchh nahi huwa hai.

Manisha- Meri baat karwaiye na didiya se. mujhe usase baat karni hai.

Nishchal- Abhi wo hospital mein hoon. wo so rahi hai. Uthne ke baad tumhari baat karwata hoon.

Manisha- Hospital mein. Aap to kah rahe hain ki didiya thik hai. fir hospital mein didiya kyon hain.

Nishchal- Are Are meri gadadhari bheem. Shant ho jao sab batata hoon. Darasal Sarita ne tin din se khana nahi khaya tha to bahut kamjori aa gayi thi use. Isliye wo behosh ho gayi. Isliye use Admit karna pada. Maine use khana khila diya hai aur dawa bhi de di hai.

doctor ne kaha hai ki wo bilkul thik hai. tum bilkul bhi pareshan mat ho aur Aunty aur Uncle ka dhyan rakho. Sarita Aaj Hospital mein rahegi. Kal main use khud lekar Ghar aaunga. Aunty ko kahna ki wo bilkul bhi fikar na karein Sarita ki main uske sath hi rahunga.

Manisha- Thik hai boss. Aapko pata nahi hai ki aapne hamare upar kitna bada Ehsan kiya hai Agar didiya ko kuchh ho jata to ham logo ka kya hota.

Nishchal- Ye tum kaisi baat kar rahi ho chhote miya. Tumhe to sab pata hai fir bhi tum aisi baat kar rahi ho. wo tumhari bahan ke sath sath meri jaan bhi hai aur apni jaan ko bachana koi Ehsan nahi hota aur mere jeete ji Sarita ko kuchh bhi nahi hoga. Main har samay uski dhal banker uske sath rahunga.

Manisha- (Khushi ke aanshu ke sath) Meri didiya bahut lucky hai jo use aap jaisa pyaar karne wala mila.

Nishchal- Lekin main to lucky nahi hoon na.

Manisha- Aap aisa kyon bol rahe hain boss.

Nishchal- Main to Sarita se pyaar karta hoon, lekin Sarita to mujhse pyaar nahi karti na. wo to mujhe khadus, akdu boss hi manti hai.

Manisha- Aisa nahi hai boss, didiya ke man mein bhi aapke liye kuchh hai, bas wo use samajh nahi paa rahi hai.

Nishchal- hai na. uske man mein mere liye gussa aur hamesha ladai jhagda karne ki tatparta.

Manisha- Are nahi boss. Uske man mein bhi aapke liye pyaar hai aisa mujhe lagta hai. Didiya bilkul thik ho jaye to main kuchh aisa karungi ki didiya khud aapse apne pyaar ka izhaar karegi, lekin aapko meri har baat man-ni hogi. Tabhi main kuchh kar paungi.

Nishchal- Are chhote miya. Sarita ke liye to agar tum mujhe Murga ban-ne ke liye bhi bol dogi to sari zindagi main murga ban-ne ke liye taiyar rahuga.

Manisha- Murga to main nahi meri didiya banayegi. Main to thodi bahut practis karwa sakti hoon aapki.

Nishchal Manisha ki baat sunkar hansne laga. Fir Usne ne kaha.

Nishchal- Achha ab main phone rakh raha hoon. Uncle aur Aunty ka khyal rakhna. Main Sarita ko lekar kal ghar aa jaunga. Bye.

Manisha- Bye Boss.

Nishchal ne phone rakh diya aur jo kuchh bhi huwa uske bare mein sochne laga. Abhi Manisha se baat kiye huwe use minute hi huwa tha ki tabhi Nishchal ka phone bajane laga. Nishchal ne phone dekha to Savita ka phone tha. Nishchal ne phone uthaya to Savita ne kaha.

Nishchal- Hello di.

Savi- Ye sab News mein kya dikha raha hai. Sarita ka kidnap ho gaya tha.

Asal mein Savita ko kisi ne kuchh nahi bataya tha, Kyonki Shadi ke tisre din hi Sarita kidnap ho gayi thi. Koi ye nahi chahta tha ki Savita ko is baat ka pata chale aur uski shadi ke baad ki Jindgi shuru hone se pahle hi us par gam ke badal mandrane lage. Wo to News walo ke karan Savita ko is baat ka pata chala aur usne turant Nishcahl ko phone kiya.

Savita ki baat sunkar Nishchal ne kaha.

Nishchal- Haan di ye News mein jo dikha raha hai wo sahi hai.

Savi- (gusse se) Aur tumne ya kisi aur ne mujhe ye baat batana jaroori nahi samjha. Kya Shadi ho jane ke baad tum, Raghav, Mummy, papa, Manisha, Uncle aur Aunty mujhe abhi se paraya samajhne lage ho.

Nishchal- Ye kaisi bahki bahki batein kar rahi hain aap di. aapko pata hai ki aap kya bol rahi hain.

Savi- haan mujhe pata hai ki main kya bol rahi hoon. Agar aisa nahi hota to tum sab mujhe jaroor batate.

Nishchal- Aap bilkul galat soch rahi hain. Ham logo ko pata tha ki agar aapko ye baat pata chali to aap jaroor yaha chali aaogi. Koi nahi chalta tha ki aapki khushhal zindagi ki shuruaat gam se ho, isliye aapko kisi ne nahi bataya.

Savi- To iska matlab ye huwa ki mujhe kabhi koi baat nahi bataoge tum sab. Anant ji bhi bahut Naraz hain is baat ko lekar. Sarita meri bhi kuchh lagti hai. uske bare mein mujhe bhi jankari honi chahiye.

Nishchal- Sorry di. agar is baat ko lekar aaka dil dukkha hai to mujhe maaf kar dena, lekin sabne aapko kisliye nahi bataya. Ye maine aapko bata diya hai, mera to pata hi hai aapko sab kuchh. Mujhe us samay Sarita ko dhoondhne ke alava kuchh bhi najar nahi aa raha tha. Lekin ab sabkuchh thik hai. Sarita mil gayi hai aur wo mere paas hai.

Savi- Abhi kaisi hai wo. Wo thik to hai na. use kuchh huwa to nahi hai na. kahan ho abhi tum dono.

Nishchal- Di main hospital mein hoon. 3 din se usne kuchh nahi khaya tha to wo behosh ho gayi thi kamjori ke karan, lekin abhi wo thik hai. kal subah use main lekar Allahabaad jaunga.

Savi- Main bhi aa rahi hoon Anant ke sath Sarita se milne ke liye.

Nishchal- Nahi di. aap mat aaiye. Abhi Wo bilkul thik hai. Aap chahe ho phone par baat kar lijiyega. Kuchh din baad to aapko aana hi hai. Tab Aap Usase mil lijiyega.

Savi- Thik hai Nishu. Tu jaisa kahe. Lekin usase meri baat jaroor karwa dena.

Nishchal- Thik hai di. Ab main rakhta hoon. Baad mein baat karunga.

Savita se baat karne ke baad Nishchal ne phone rakh diya. Phone rakhkar wo Jawed ke paas chala gaya aur uske paas baith gaya.

Jawed- Ab Madam ki tabiyat kaisi hai Sir.

Nishchal- Ab wo thik hai. Tum kaise ho abhi.

Jawed- Main thik hoon Sir. Goli bas chhukar gahra Zakhm karke nikal gayi.

Nishchal- Tum aaram karo. Main doctor se baat karke aata hoon.

Nishchal Jawed ke kamre se bahar nikal gaya. Wo Doctor ke paas jane laga. Udhar Manisha ne Raani ji aur Aanand ji ko bata diya tha ki Sarita mil gayi hai aur wo Nishchal ke sath hain. Dono ko bahut Khushi hui. Raani ji Sarita se baat karna chahti thi, Manisha unhe samjha rahi thi, lekin Maa to aakhir maa hoti hai.

Raani ji ne Manisha ki baat nahi mani aur Manisha ko phone lagana pada. Udhar Nishchal doctor ke cabin mein ja raha tha. Phone Ring hone par usne phone uthaya.

Nishchal- Hello Manisha.

Raani jii- hello Nishchal bata. Sarita kaisi hai. Mujhe baat karni hai usase.

Nishchal- namaste Aunty ji. Wo thikk hai . use dawa di gayi hai to wo so rahi hai. uthne ke baad main aapki baat karwata hoon. Aap bilkul bhi fikar mat kariye. Sarita mere sath hi hai. hospital se discharge hone ke baad main use lekar Allahabaad Aaunga.

Raani ji- Nahi beta. Mera dil nahi lagega yahan. Main aa rahi hoon.

Nishchal- Aunty ji. Aap pareshan mat hoiye. Main hoon Sarita ke sath. Use koi bhi pareshani nahi hogi, main use khud lekar aaunga.

Manisha aur Aanand ji bhi Raani ji ko samjhane lage. Kafi samjhane ke baad Rani ji mani. Unhone nishchal se kaha.

Raani ji- Thik hai beta. Uska khayal rakhna. Uske sath hi rahna aur use jaldi lekar yaha aana. Bina use dekhe mujhe chain nahi aayega.

Nishchal- Thik hai Aunty ji main use jaldi hi lekar aata hoon.

Itna kahkar Nishchal ne phone rakh diya aur Doctor se milne chala gaya. Doctor se baat karne ke baad wo Wapas Sarita ke paas aa gaya. Lagbhag 1 ghante baad Sarita ki neend khuli to usne Nishchal ko apne paas baithe huwe paya.

Wo Nishchal ko dekhkar Muskurane lagi. Nishchal bhi muskurane laga. Fir Nishchal ne Manisha ko phone karke Sarita ki baat uske gharwalo se karwayi. Apne gharwalo se baat karke Sarita bahut khush hui.

Uske baad Nishchal ne Savita ke paas bhi phone kiya aur Sarita ki baat karwayi. Nishchal ne ghar mein bhi phone karke bata diya. Waise News se Naina ji aur Mahendra ji ko bhi pata chal gaya tha ki Nishchal ne Sarita ko bacha liya hai. Abhishek ne bhi phone karke Sarita ka haal chaal liya.

Sham tak Mohit ne aakar Nishchal ko poori report di. fir Sarita aur Jawed se milkar chala gaya. Raat bhar Nishchal hospital mein hi raha. Agle din dophar tak Usne Sarita aur Jawed ko hospital se discharge karwaya. Mohit Aakar Jawed ko apne sath le gaya.

Nishchal Sarita ko gadi par baithakar sabse pahle abhishek pe paas le gaya. Abhishek se milkar Sarita uske gale lag gayi. Thodi der tak donon bhaai bahan sath mein rahe aur batein karte rahe. Uske baad niahchal Sarita ko lekar Allahabaad jane ke liye nikal gaya.

Sarita poore raste Nishchal ko hi dekh rahi thi. Usase mulakat se lekar Abhi tak ka jo bhi wakya huwa tha uske baare mein soch rahi thi. kabhi use apne aap par gussa aata to kabhi chehre par muskan aa jati. Nishchal bhi gadi chalate huwe bich bich mein Sarita ko dekh leta tha. dono ki najarein jab milti to dono muskura dete.

2 ghante ke safar ke baad Sarita apne ghar aa gayi. Sarita daudkar apne mummy papa aur Manisha ke gale lagkar rone lagi. Raani ji ne use kaskar gale lag aliya aur uska matha chum liya. Paas pados ke kuchh log Sarita ke aane ki khabar sunkar usase milne ke liye aaye the. Nishchal Sarita ko chhodkar jane laga to Raani ji ne kaha.

Raani ji- Are beta. Itni jaldi bhi kya hai. Kal subah chale jana.

Nishchal- Nahi Aunty ji. Mere paas rukne ka bilkul bhi samay nahi hai. Is case ka aage kya karna hai uske liye mujhe jana hi hoga. Aap Sarita ka khyan rakhiyega. Main phone par baat karta rahunga.

Nishchal Sabhi se vida lekar Allahabad se Jaunpur wapas aa gaya, Kyonki use is case ke bare mein puchhtachh karni thi.

Udhar media mein Sarita ki Kidnaping ki news ne khoob surkhiya batori. Rajnitik galiyaro mein is khabar par chatkare le lekar baat chit hoti thi. Sabhi partiyan is mudde ko lekar Sarkar aur police par ungli utha rahi thi. News ko dekhkar log Sarita ke bare mein tarah tarah ki bate bana rahe the.

News mein dikhaya ja raha tha ki do din gayab rahne ke bad ……………… Thane ki lady inspector ………………. Jagah behoshi ki halat mein mili . Unke thana prabhari Rawat, Police vibnag ke DIG aur kshetriya neta ka unki kidnaping mein bahut bada hath tha.

kidnaping ki thos wajah abhi tak pata nahi chal payi hai. police abhi kuchh bhi batane ke liye taiyar nahi hai.

Sarita ko ghar aaye ab tak 3 din bit chuke the, uski halat ab pahle se kaafi sudhar chuki thi. par kuchh jakham abhi bhi sharir par maujood the. Sarita apne kamre mein leti Nishchal ke bare mein hi soch rahi thi-

Sarita- (man mein) Kaise ye har Setuation mein aakar meri madad karte hain. kaise main inse hamesha ladti rahti hoon. Thik se baat bhi nahi karti hoon fir bhi ye meri har tarah se madad karne ke liye hamesha taiyar rahte hain.

Sochte Sochte Sarita ko Rawat ki kahi hui har ek baat yaad aane lagi jo Rawat ne batayi thi ki Nishchal ne har baar use bachaya hai. Har musibat ke wakt uska sath diya hai. yahi sab sochkar wo muskura uthi.

Sarita ka man Nishchal ko yaad kar ke pulkit ho gaya tha, lekin tabhi use charu ka khyal aaya to uske chehre par udasi chha gayi. Sarita ko lagta tha ki Nishchal aur Charu dono ek-doosre se pyaar karte hain. Ye sochkar uski aankho mein aanshu aa gaye.

Abhi wah ye soch hi rahi thi ki TAbhi Rani ji kamre mein aayi aur Sarita ko aur gumsum aur rote dekh kar boli.

Raani ji- Kya huwa beti. Tum thik to ho na. tumhari aankh mein aanshu kisliye.

Sarita ne apni maa ki aawaz sunkar jaldi se apne aanshu saaf kiye aur uthkar bister par baith gayi. Sarita ne dekha ki uski maa ke sath uske paapa bhi hain. dono Sarita ke paas bister par baith gaye. Sarita ne kaha.

Sarita- Kuchh nahi mummy. Wo bas wahi batein baar baar dimag mein ghoom rahi hain isliye aankho se anshu aa gaye.

Raani ji- Jo hona tha ho gaya beti. Ab wo batein sochkar kyon apna dil dukha rahi ho. bhool ja us baat ko

Sarita- Ji mummy.

Raani ji- Beta mujhe tumse kuchh baat karni thi.

Sarita- Haan maa boliye.

Raani- Main chahti hoon ki tum ye naukari chhod do.

Raani ji ki baat sunkar Sarita ne hairani se unki taraf dekha to unhone kaha.

Raani ji- Main shuru se hi is naukari ke khilaf thi. main nahi chahti thi ki tum police ki naukari karo. Lekin tumne meri baat nahi mani. Main chahti hoon ki tum is naukari se resign de do aur mujhe kuchh nahi chahiye.

Sarita Raani ji ko hairani se dekh rahi thi. use kuchh samajh mein nahi aa raha tha ki uski maa kya baat kar rahi hain. Abhi wo kuchh bolti usase pahle hi Aanand ji bol pade.

Aananad ji- Ye kaisi baat kar rahi ho tum bhagyawaan. Sarita apni Naukri kyon chhodegi??

Raani ji- Mujhe is baare mein kuchh nahi sun-na. maine kah diya ki Sarita ye naukari nahi karegi to nahi karegi. Ab is bare main main aapki baat bhi nahi sunungi.

Aanand ji- Are aise kaise nahi sunogi. Aakhir aaj tumhe Sarita ki naukari se aitraaz kyon ho raha hai. Aur Sarita kyon apni Naukri chhod de. Koi to karan batao mujhe.

Raani ji- Sarita ke sath jo kuchh bhi huwa. Us baat ko lekar Samaj mein log tarah tarah ki baatein bana rahe hain. Aapko pata bhi hai. Sarita ke shadi byaah mein bhi isase dikkat aayegi, ladke wale bhi tarah tarah ke sawal poochhenge.

Kaun apnayega meri beti ko. Logo ko to waise bhi mauka chahiye chhoti si baat ko badha Chadha kar batane ki. Aapne suna nahi ki Inspector ki patni kitna bura bura bol rahi thi.

Aanand ji- Tum ye sab bate lekar kyon baith gayi ho. Hame is samay apni bachhi ki parwah karni chahiye. Is samay hame apne bachhi ke sath khada hona chahiye aur tum ho ki samaj aur logo ki baato par dhyan de rahi ho.

Raani ji- Mujhe apni bachhi ki parwaah hai isliye hi to bol rahi hoon ki ye apni Naukri se resign de de. Aapko nahi pata ki log Sarita ke bare mein kaisi kaisi baate kar rahe hain.

koi kah raha hai ki chehre par dekho kitne Nishan bane hain. lag raha hain ki un gundo ne iske sath jabardasti ki hai. to koi kah raha hai ki 2 din waha gundo ke bich mein rahi hai to aise kaise ho sakta hai ki un gundo ne bina kuchh kiya ise chhoda hoga.

Kuchh to yah bhi kah rahe hain ki Ye bhi Unme se ek hain tabhi iske sath aisa kuchh huwa hai nahi to aaj tak aisi koi khabar nahi aayi thi. bahut bura bura bolte hain log meri bachhi ke liye.

Ab isase jyada main kuchh aur bhi apni bachhi ke bare mein nahi sun sakti hoon aur logo ko iske bare mein aise bolne nahi de sakti hoon.

Sarita aur Aanand ji Raani ji ki baat sun rahe the. Abhi wo kuchh bolte tabhi waha par Manisha aa gayi.

Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..

Sarita ke dil me prem angdayi lene laga hai. Ab sarita ko lag raha hai vo hamesha nishchal ke saath galat karti aayi hai.

Der se hi sahi kuch to ahsas hua hai. Ab dekhte hai manisha aisa kiya karti hai jisse sarita kudh se pyaar ka ijhar karti hai.

Kya rani ji ke karan sarita naukri chod degi mujhe lagta hai sarita ko naukri nehi chodni chaiye.

Adbhut atulniya lekhan kaushal:clapclap::clapclap::clapclap:
 
A

Avni

UPDATE- 101

Sarita dwara pyaar ka izhar kiye jane par Nishchal Khushi se phoola nahi sama raha tha. Uska itne din ka intezar aaj khatam ho gaya tha. Usne Khushi se jhoomte huwe apni bahein faila di to Sarita Uske sine se lag gayi.

dono ke liye ye ehsas bahut sukhad tha. Dono ko is samay yahi lag raha tha ki ye wakt yahi tham jaye aur dono aise hi gale lage huwe sari zindagi gujaar dein. Dono ki dhadkane bahut tezi se chal rahi thi. Sarita ke gaal sharam aur Khushi se lal ho gaye the. Kuchh der dono aise hi shant ek doosre ke gale lage huwe khade rahe.

Thodi der baad Sarita ne is shanti ko bhang karte huwe kaha.

Sarita- Ab mujhe samajh mein aaya ki main aapke samne aisa bartav kyon kar rahi thi.

Nishchal- hhmmmmm. Par ye to batao ki tumhe is baat ka ehsas kab huwa.

Sarita- Di ki shadi ke samay.

Nishchal- Achha ji. To tumhara 15-20 din mein hi ye haal ho gaya hai to mera socho. Maine to jis din tumhe pahli baar dekha tha usi din se tumpar mar mita hoon. Socho. Itne dino mein meri kya halat hui hogi.

Nishchal ki baat Sunkar Sarita usase alag hui aur use dekhne lagi. Nishchal ne usase kaha.

Nishchal- Ab aise kyon ghoor rahi ho.

Sarita- Main ghoor nahi rahi hoon. But Seriously Pahli baar milne par hi??

Nishchal- Aur nahi to kya. Tumhe lag raha hai main Mazak kar raha hoon.

Sarita- Nahi Mazak nahi lag raha hai, lekin aapko dekhkar kabhi laga hi nahi ki aap mujhse pyaar karte hain. Aapne pahle kyon kuchh kaha kyon nahi??

Nishchal ne Sarita ki nakal karte huwe kaha.

Nishchal- Aapne pahle kuchh kaha kyon nahi??

Nishchal ki baat sunkar Sarita chidh gayi aur munh fulakar doosri taraf dekhne lagi to Nishchal ne kaha.

Nishchal- Us din gadi mein maine wo sab tumse hi kaha tha, lekin tum to itna hiper ho gayi thi ki mujhe apni baat hi badalni padi. Agar us din maine kano mein bluetooth nahi lagaya hota to tum mera gaal lal kar chuki hoti. Itna hi nahi. Tumne us baat ko lekar ye andaza laga liya ki main charu se pyaar karta hoon. Had hai yaar.

Sarita- Kyao na lagaun andaza. Wo hamesha apke aas paas mandara rahi thi.

Nishchal- Achha. Ye to naya tarika khoj nikala hai tumne ki jo insan kisi ke aas-paas mandara raha ho wo usase pyaar karta hai. aise to tum mere aur Jawed ke bare mein, Jawed aur Mohit ke bare mein aur Mera aur mohit ke bare mein bhi sochti hogi.

Nishchal ki baat sunkar Sarita ko hansi aa gayi aur wo hanste huwe boli.

Sarita- Nahi main aisa kuchh nahi sochti aap logo ke bare mein. Main to bas….

Nishchal ne uski aankho mein dekhte huwe kaha.

Nishchal- Kya bas.

Sarita ko ab kuchh bolte hi nahi ban raha tha to Wo waha se jane lagi to Nishchal ne uska hath pakadkar apni taraf kheech liya. Sarita Nishchal ke sine se lag gayi. Nishchal ne Sarita ki aankho mein dekhte huwe uske chehre par aayi hui lato ko uske kan ke pichhe karte huwe kaha.

Nishchal- Tumne to kah diya jo kahna tha. Ab mera bhi jawab to sun lo.

Itna kahkar Nishchal apna munh Sarita ke kan ke paas le gaya. Sarita ki dhadkane is samay bekaboo ho rahi thi. shayad yahi hal nishchal ka bhi tha. Nishchal ne uske kaan mein dhire se kaha.

Nishchal- I Love You too. Mujjhe tumse pyaar tha. tumse pyaar hai aur hamesha tumse hi pyaar rahega.

Ye sunkar Sarita ne apni aankhe band kar li thi. is samay Sarita ekdam madhosh ho chuki thi. Nishchal ki sans use apni gardan par mahsoos ho rahi thi. Sarita ke sharir mein ek ajeeb si halchal ho rahi thi.

Nishchal apni baat kahkar pichhe hat gaya. To Sarita ne apni band aankhein kholkar Nishchal ko dekha to wo samne khada mand mand muskura raha tha.

Ye dekhkar Sarita ne sharam ke mare apna chehra doosri taraf ghuma liya. Nishchal ko bhi ye samajh mein aa raha tha ki dono filhal is mamle mein jyada baat nahi kar payenge to Nishchal ne kaha.

Nishchal- I think ki ab hamari batein poori ho chuki hain to main jaun.

Sarita- Lagta hai Manisha so gayi hai to fir darwaza kaun kholega??

Sarita ne ye baat Nishchal ki taraf dekhte huwe kaha to Nishchal ne shararat bhare lahze mein kaha.

Nishchal- To directaly tum ye kyon nahi kahti ki main aaj raat yahi par ruk jaun. Chhote miya ka bahana kyon bana rahi ho??

Sarita ne Nishchal ki baat sunkar apni aankhe badi karte huwe kaha.

Sarita- Hey bhagwaan. Maine aisa to nahi kaha na. main aisa kuchh soch bhi nahi rahi hoon. Agar aapko bharosha na ho to use phone karke dekh lijiye. Wo uthegi hi nahi kyonki wo raat mein aksar apna phone silent mein rakhti hai.

Nishchal- Pata hain mujhe. Main to bas aise hi tumhe chhedne ke liye bol raha tha. Ab kya karein ham??

Sarita- Aapko sona hai.

Nishchal- haan.

Sarita- To aisa kariye aap bister par so jaiye main jameen par bistar lagakar so jaungi.

Nishchal- Are nahi aise kaise. Tum bistar par so jao main jameen par so jaunga.

Sarita- Nahi na. waise bhi mujhe neend aa nahi rahi hai to aap so jaiye.

Nishchal- Chalo koi baat nahi fir ham dono baith kar batein karte hain.

Itna kahkar Nishchal bed se tek lagakar jameen par baith gaya to Sarita ne kaha.

Sarita- Abhi to aap kah rahe the ki aapko neend aa rahi hai.

Nishchal- Kuchh samay pahle aa rahi thi, lekin ab nahi aa rahi hai aur plz ab is baat ko lekar tum mujhse jhagda mat karne lag jana.

Sarita- (ghoorte huwe) Aap kahna kya chahte hain ki jhagda main start karti hoon.

Nishchal- Aur nahi to kya. Dekho tum jhagda karne ke mood mein aa gayi ho..

Sarita- Thik hai ab main kuchh nahi bolungi. Aap khud hi boliye, khud hi suniye aur jab thak jaiye to chupchap so jaiyega.

Sarita ki baat sunkar Nishchal ne Sarita ki naak pakadte huwe kaha.

Nishchal- Ye tumhari naak hai na. jab gusse mein ekdam lal ho jati hai to tum bahut khoobsurat lagti ho aur wo khoobsurti mere dil ka haal behaal kar deti hai.

Nischal ki baat sunkar Sarita ne hanste huwe kaha.

Sarita- Aap kaam hi aisa karte hain ki mujhe gussa aa jata hai.

Nishchal- Achha ye sab chhodo. Chhote miya bata rahi thi ki tumhara kuchh aim hai jiske karan tum Pyaar se door bhagti thi.

Nishchal ki baat sunkar Sarita bhi bed ke doosre kinare par jameen par baith gayi aur boli.

Sarita- aim. Haan mera aim to IAS ban-na hai. Kisi ki baat ne mere dilo dimag par itna gahra asar dala hai ki maine usi samay apna lakshya nirdharit kar liya ki mujhe aage kya karna hai Tabhi maine soch liya tha ki jab tak mera ye lakshya poora nahi ho jata tab tak main in pyaar mohabbat ke chakkaro mein nahi padungi.

Pahle apne dam par apni pahchan bana loon. Fir koi nai jimmedari ke bare mein sochungi, lekin wo kahte hain na ki hamesha jo aap chahte hain wo nahi hota. Mujhe aapse pyaar hona tha aur wo ho gaya.

Nishchal- Ab ye to bahut Achhi baat hai. tumhara aim bahut hi achha hai. (fir Mazak mein) Lekin mujhe lagta hai ki jab tak tumhara aim poora nahi ho jata tab tak tum shadi bhi nahi karogi. Iska matlab hai ki tumhare last attempt tak mujhe most eligible Bachler banker rahna padega.

Sarita- Mera First attempt hi last attempt hoga.

Nishchal- (Hanste huwe) Matlab ye ki mujhe tab tak aise majanuwo ki tarah jindagi gujarni padegi.

Sarita- Hatiye aap. Mera Mazak uda rahe hain aap to. Waise aapka kya aim hai.

Nishchal- Tumhare sapne ko udan dena.

Nishchal ki baat sunkar Sarita use dekhne lagi to Nishchal ne kaha.

Nishchal- Jyada to kuchh nahi lekin main tumhare har kadam par tumhara sath doonga. Tumhare har achhe bure wakt par tumhare sath rahunga. Tumhare har Us faisale ka main samman karunga jo hamare hit mein ho.

main tumhare liye chand tare tod kar lane ka jhootha wada nahi karunga, lekin itna jaroor kahunga ki jeewan ke kisi bhi mod par jab bhi tumhe meri jaroorat hogi tum mujhe apne sath khada paogi.

Nishchal ki baat sunkar Sarita Aakar uske bagal mein baith gayi. fir dono aise hi bate karte huwe so gaye.

Subah Jab Manisha ne uthkar darwaza khola to usne dekha ki Sarita aur Nishchal jameen par baithe baithe hi so gaye hain. Sarita ka Sir Nishchal ke kandhe par tha aur Sarita ke sir par Nishchal ne apna Sir tikaya tha.

Ye dekhkar Manisha ke chehre par ek pyaari si muskan tair gayi. Usne Wakt jaya na karte huwe Es khoobsurat najare ko apne phone mein kaid kar liya.

Dono ki selfi lene ke baad Sarita kamre ke andar aayi aur jor se boli.

Sarita- Good Mornigh Guys..

Manisha ki aawaz sunkar dono hadbada kar uthkar baith gaye. Jab dono ne samne dekha to Manisha khadi muskura rahi thi. Dono ye dekh kar jhenp gaye. Nishchal turant uthkar khada ho gaya aur Sarita ne apni najre niche jhuka li.

Nishchal ne hadbadate huwe Manisha se kaha.

Nishchal- Sorry. Main duty ke liye late ho gaya hoon to main jata hoon.

Itna kahkar Nishchal waha se Sarpat bhaga. Sarita bhi bahana banakar Waha se bhaag khadi hui aur bathroom mein ghus gayi. Manisha dono ki halat dekhkar muskurane lagi.

Sarita Bathroom se nikal kar Nashta karke jab taiyar hokar PS jane ke liye nikli to Manisha use hi ghoor rahi thi. Sarita ne Manisha se kaha.

Sarita- Kya hai?? Aaise kyo ghoor rahi ho mujhe??

Manisha- Aaj kaun si cream lagayi hai didiya. Aaj to tumhara chehra bahut glow kar raha hai.

Itna sunte hi Sarita ne uske kaan pakadkar marodte huwe kaha.

Sarita- Achha beta Tumhe kuchh jyada hi chamak dikh rahi hai. Abhi tumhari raat wali harkat ko main bhuli nahi hoon. Uski bhi saza milegi tumhe.

Manisha ne Sarita ki baat sunkar azeebogarib munh banate huwe kaha.

Manisha- hey bhagwaan. Ab to bhalayi ka jamana hi nahi raha. Jiska bhala kiya maine wahi mujhe saza dene ki baat kar raha hai. Kuchh karo bhagwaan kuchh karo.

Sarita- (hanste huwe) Tumne jo harkat ki wo main bhuli nahi hoon. Bhagwan bhi sab dekh rahe hain. ki kisne kya kiya hai.

Manisha- Tum chaho tab bhi nahi bhool sakti kal raat wali baat. Aap dono ka wo prisious movement jo tha wo.

Sarita- (ghooorte huwe) Tum din-ba-din badtamiz hoti ja rahi ho.

Manisha- Achha thik hai Ab Apne PS jao. Mujhe bakhsh do.

Manisha ki baat sunkar Sarita ne apni kalayi mein lagi ghadi mein dekha aur boli.

Sarita- Ohhhhhhhoooooo. Tere karan itna late ho gaya. Main jati hoon.

Sarita apne PS ke liye nikal gayi aur Manisha use jate huwe dekhkar muskurane lagi. Isi tarah din gujarte rahe. Sarita aur Nishchal ko apne pyaar ka izhar kiye huwe 4 din bit chuke the. Par us din ke baad dono ke bich jyada baatchit nahi hui thi. dono ek doosre ke samne aane par jhijhak mahsoos karte the. Ye sab Manisha note kar rahi thi.

Ek sham Sarita PS se jaldi aa gayi. to Manisha ne Sarita se kaha.

Manisha- Didiya main soch RAHI HOON ki kyon na aaj ham log bahar khana khane chalein. Main boss ko bhi bula leti hoon.

Manisha ki baat par Sarita ne kuchh nahi kaha bas muskura kar rah gayi to Manisha ne kaha.

Manisha- Matlab main boss ko bula loon.

Manisha ne turant Nishchal ko phone kiya aur poori baat batai aur thoda jaldi aane ke liye bola. Thodi der mein Nishchal bhi aa gaya. Jis Restorant mein khane ka plan bana tha wo unke ghar se lagbhag 1 kilometer ki doori par tha. thodi hi der mein wo sab restorant mein baithe huwe the. Dono ko ekant dene ke liye Manisha ne kaha.

Manisha- Mujhe ek phone karna hai aap log baithiye main aati hoon.

Manisha yah kahkar chali gayi. Sarita aur Nishchal dono chupchap baithe huwe the. Kuchh der baad Sarita ne apna sir uthakar dekha to Nishchal use hi dekh raha tha. ye dekhkar Sarita jhenp gayi aur apni najarein fir se niche kar li. Nishchal ye dekhkar Muskura utha. Thodi der baad Nishchal ne kaha.

Nishchal- To kya socha hai tumne??

Sarita- (apni najare uthakar) Kis bare mein.

Nishchal- Abhi kiss ke bare mein to baat kar nahi raha hoon.

Sarita- (aankh dikhate huwe) jyada hoshiyar ban-ne ki koshish mat kijiyega mere samne.

Nishchal- (kaan pakadte huwe) Sorry.. main preparation ke bare mein pooch raha tha. uska kya socha hai.

Sarita- Sorry mat boliye aap. Main soch rahi hoon ki naukari chhod doon. Kyonki ye naukari karte huwe preparation karna bahut hi kathin hai.

Nishchal- Okkkk. Agar tumhe lagta hai ki tum Naukri karte huwe dhang se preparation nahi kar paogi to tum aisa hi karo, lekin aisa karne se pahle ekk baar Uncle aur Aunty se baat jaroor kar lena.

Sarita- Mummy ko to koi pareshani nahi hogi mere naukari chhodne se. but papa ko manana padega is baat ke liye. Sath mein mummy papa ko aage ke preparation ke liye bhi manana padega, papa ko to koi dikkat nahi hogi isase, lekin mummy jaroor mujhe ye sab karne nahi dengi.

Nishchal- Tum koshish to karo. Agar meri jaroorat padi to main khud Aunty se baat karunga iske bare mein.

Sarita- Thik hai main baat karti hoon mummy papa se. Main ise hi apna final attempt samajhkar padhna chahti hoon isliye aisi taiyari ye naukari karte huwe sambhav nahi hai.

Nishchal- Kyaa baat hai. Tumhe itni jaldi hai apni shadi ki.

Sarita- (shararat karte huwe) Aur nahi to kya. Kya pata main apna aim achive karne mein lagi rahi aur fir se aap kisi charu ke chakkar mein pad jao. Is baar main ye risk nahi lena chahti.

Nishchal- (Muskurate huwe) Thikk hai fir. Apne ghar mein baat karo aur apne mind ko relax karo. Uske baad preparation shuru kar do. Kuchh hi din mein Notification aane wala hai.

Sarita- Haan. Achhi padhai ke liye refrecement bhi jaroori hai.

Nishchal- Notes ki chinta tum mat karna. Notes tumhe main provide kar dunga aur ek baat hamesha yaad rakhana ki main har kadam par tumhare sath hi rahunga.

Tab Tak Manisha bhi aa chuki thi. Order inhone pahle hi de diya tha to khana bhi tab tak aa chuka tha. Nishchal to bahar khata nahi tha, lekin aaj Sarita ke liye usne thoda bahut khana khaya aur payment karke ghar ke liye nikal gaye. Ye log paidal hi the to tino sath hi bate karte huwe ja rahe the.

Chalte huwe Nishchal ne Sarita ka hath pakad liya aur aage dekhte huwe chalne laga. Sarita ne jab Nishchal ki taraf dekha to use aage dekhte huwe paya to man mein hi kaha.

Sarita- Dekho to. Aise behave kar rahe hain jaise inhe pata hi na ho ki inhone mere hath pakda hai.

Sarita apna hath chhudane ki koshish karne lagi to Nishchal ne uska hath kaskar pakad liya. Manisha kankhiyo se ye sab dekh rahi thi wo apni colony ke najdeek hi pahuch chuke the to Manisha ne kaha.

Manisha- Main jati hoon aap log aaiye.

Ye kahkar Manisha age chali gayi to Sarita ne Nishchal se kaha.

Sarita- Ye kya kar rahe hain aap??

Nishchal- (anjan bante huwe) Kya kar raha hoon??

Sarita- hath chhodiye mera. Koi dekh lega.

Nishchal- ye haan chhodne ke liye thode hi pakda hai. Ab to Sari Zindagi tumhara hath pakadkar chalna hai. I Love You.

Ye sunkar Sarita ka chehra sharam se laal ho gaya tha. Nishchal ne apna mobile nikala aur photo kheechne laga to Sarita ne kaha.

Sarita- ab ye kya kar rahe hain aap.

Nishchal- tumhara ye roop har samay dekhne ko nahi milta hai. Har samay to tum naak par gussa liye lady don bani mujhe hadkati rahti ho. Isliye is roop ki phone click kar raha hoon.

Sarita- (hans kar) Kaun sa roop??

Nishchal- Sharam se laal huwe tumhare gaal aur ye jhuki hui najarein.

Sarita- Hmmmm. Agar ab ho gaya ho to kripa karke mera hath chchod dein. PG aa gaya hai.

Nishchal ne Sarita ka hath chood diya to Sarita ne kaha.
Sarita- Ab aap jaiye.

Nishchal- Haammmm. Pahle tum jao.

Sarita jane lagi. kuchh door jane ke baad wo pichhe mudkar uski taraf dekhne lagi. Nishchal ne ishare se poocha ki kya hai to Sarita ne kaha.

Sarita- I Love You too.

Itna kahkar Sarita jhat se andar bhaag gayi. Nishchal Uski ye harkat dekhkar muskurane laga.

Usi raat Sarita ne apne Mummy papa se job chhodne ki baat ki aur iska karan bhi bataya. Aanand ji ko to koi pareshani nahi hui lekin Raani ji ka kahna tha ki use job karne ki jaroorat nahi hai ab koi achha ladka dekhkar uski shadi karni hai unhe, lekin Sarita ki zid aur Anand aur Manisha ke samjhane ke baad Raani ji aakhir maan hi gayi.

Sarita ke Resignation ki baat jab uske staff ko pata chali to Mohit, Jawed, Ranjana, Janhavi, Vikas, Kaushal ko bahut dukh huwa. Sath mein unhe is baat ki Khushi hui ki Sarita Apne Aim ke liye job chhod rahi hai. Saabhi ne use best wishes di.

Udhar Nishchal ne Savi se Apne aur Sarita ke rishte ke bare mein bata diya. Savita bahut khush hui aur usne Sarita se baat ki aur use is naye rishte ke liye badhayi di.
Sarita Aur Manisha Abhishek se milne ke liye jail mein gaye.

Manisha ne Abhishek ko Sarita aur Nishchal ke bare mein bataya to Use bhi bahut Khushi hui, Kahi na kahi use bhi pata tha ki Nishchal hi Sarita ke liye best choice hai.

Sarita ne Resign de diya tha aur Nishchal se kuchh promiss karke Allahabaad aa gayi.

Lagbhag 9 Mahine baad..

Abhishek ki saza poori ho gayi thi use lene ke liye Sarita, Manisha, Raani ji Aur Aanand ji khud gaye the. SAbhi bahut khush the ki unka bhaai aur unka beta Kai Baras baad ghar aa raha hai. Abhishek ne bhi bahut Salo baad khuli hawa mein sans li thi. Use bhi bahut Khushi hui sabse mil kar. Abhishek sabhi ke sathi Allahabad wapas aa gaya.

Udhar Amit ko Nishchal ne apne Sath rakha huwa tha. lekin uski naukari abhi bhi use wapas nahi mili thi. Amit ne jo baat Nishchal se kahi thi. Uske anusar wo sachmuch bahut badal gaya tha. wo poori imaandari aur lagan se kaam kar raha tha. Yahi sab dekhte huwe Nishchal ne SSP se baat karke use naukari par bahal kar diya tha.

Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
Fabulous update dear. update padhne ke bad rab ne mila di jodi film ko yad a rahi hai. made for each other kise kehte hai apne nischal aur sarita ke pyar ke madhyam se dikha di hai. sach hai, jodi upar se hi banke ati hai, kabhi jaldi , kabhi der saber apko apki sathi mil hi jate hai. jo har kadam par apka sath nibhate hai.
 
A

Avni

UPDATE- 102

naukari chhodne ke baad sarita ne apne aapko padhaai mein jhonk diyaa. Usne apne aapko puri tarah se sabhi se kaat liya tha. Wo pahli baar se kahin jyada mehnat kar rahi thi. Ab tak abhishek bhi jail se chhutkar ghar aa chukaa thaa.

samay bitne ke sath hi sarita ki prelims, main aur interview ho gaya tha jo achha gaya tha.

Lagbhag 11 Mahine baad

Sarita apne ghar mein laptop par apni najarein gadaye baithi thi. Aaj Uskka Civil Services ke exam ka result aane wala tha. Uska man andar hi andar ghabra raha tha. Wo Manisha se iske bare mein kai baar baat kar chuki thi. lekin Sarita ki bechaini badhti ja rahi thi.

Tabhi uske mobile ki screen par ek naam show huwa. Jo Nishchal ka tha. Usne phone uthaya to nishchal ne kaha.

Nishchal- ghabrao mat, Mujhe poora wishwash hai ki hamara sapna jaroor poora hoga.

Sarita- Aur agar nahi huwa to please mujhe maaf kar dena.

Nishchal- Fir se tumhara rona shuru ho gaya. Is baar nahi huwa to agli baar fir se try karna. Agli baar nahi huwa to uske Agli baar fir try karna aur vishwas karo Tumhare aim ke liye main bhi apni naukari chhod dunga.

Sarita- Haan fir to dono road par baithkar katora lekar bheekh mangenge. Hai na??

Nishchal- (hanste huwe) Sahi kaha. Isase better to koi job ho hi nahi sakti. IAS ki salary se jyada kamai hogi mahine mein. Sath mein tumhare sath kaam karne mein maza bhi bahut aayega.

Sarita uski baat sunkar hans di to Nishchal ne kaha.

Nishchal- Ab thik hai. tum aise hi hamesha hansti muskurati hui hi achhi lagti ho.

Sarita- Aap aa rahe hain na mujhse milne ke liye.

Nishchal- Abhi clear nahi bata sakta.

Sarita- (gusse mein) 1.5 sal se jyada ho chuka hai aapse mile huwe. apka to kuchh bhi clear nahi rahta.

Nishchal- Promiss yaad hai ya bhool gayi.

Sarita- Hmmmm. Yaad hai tabhi to kuchh bolti nahi hoon aapse.

Nishchal- Achha Ab khush ho jao.

Sarita- Wo kisliye??

Nishchal- Kyon ki main aa raha hoon tumse milne. Result chahe jo bhi ho exam ka tum udas mat hona.

Sarita- (khush hokar) Kyaa?? Sach mein aap aa rahe hain mujhse milne.

Nishchal- haan meri jaan main aa raha hoon.. mujhe lagta hai ki ab tum thik ho to main phone rakh raha hoon.

Sarita- Hmmm. Main intezaar kar rahi hoon aapka.

Itna kahkar Sarita ne phone rakh diya aur kisi soch mein gum ho gayi.

Sarita- (man mein) Agar aaj ye exam clear na huwa to main Sir ko kya munh dikhaungi. Mujhse jyada to unhone iske liye tapasya ki hai. Subah jagne se lekar der raat tak wah mere sath hi rahe hain. Notes banane se lekar interview ki taiyar karwane mein wo hamesha mere sath hi rahe hain.

Agar kisi topic par ulajhkar main pareshan ho jati thi to wo kitni aasani se us topic ko solve karke mujhe samjhate the. Mujhse jyada to unhone mehnat ki hai is exam ki. Hey bhagwan Sir ki mehnat ko bekar mat hone dena. Is bich wo mere guru. Mere margdarshak aur ek achhe aur sachhe dost ke roop mein the.

Wo to bhala ho phone aur video calling ka. Jiski wajah se main kam se kam unka chehra to dekh pa rahi thi. nahi to unhone promiss karke mujhe fansa hi diya tha. Pichhle 3 Mahine se unka transfer Pratapgadh (Allahabad ke bagal wala zila) mein huwa hai. chahe to wo mujhse aakar mil sakte hain 40 kilomiter door hi to rahte hain.

Lekin nahi apne aage to kisi ki sun-ni hi nahi hai. kahte hain ki agar main unse mil lungi to fir kai din to unke bare mein hi sochungi. Fir meri padhai disturb hogi. Isase achha jab exam clear kar lena to fir main poora ka poora tumhara.

Had hai yaar aisa bhi koi karta hai kya?? Preperation se pahle hi ye wada le liya tha ki jab tak result nahi aa jata tab tak ham log nahi milenge. Warna isase meri padhai mein effect padega. Aaj agar maine ye exam clear kar liya to ham dono ki mehnat safal ho jayegi.

Sarita yahi sab soch rahi thi ki tabhi Manisha aur Abhishek uske paas aaye. Manisha ne use jhakjhorte huwe kaha.

Manisha- DidiYA kis soch mein gum ho. boss ka phone aaya tha. Result aa gaya hai. jaldi se check karo..

Sarita ne Manisha ko dekha aur ghabrate huwe kaha.

Sarita- Nahi. Mujhse ye nahi hoga. Mujhe bahut dar lag raha hai tum hi check karo na.

Manisha- Hato main karti hoon.

Manisha result check karne lagi. Tabhi Sarita ka phone bajne laga. Lekin Sarita itni ghabrayi hui thi ki usne call nahi uthaya. Sarita ka phone band hone ke baad Manisha ka phone bajne laga. Manisha ne phone uthana chaha to Sarita ne kaha.

Sarita- phone baad mein utha lena. Pahle result check karo.

Manisha- Check to kar rahi hoon didiya, lekin sarver hi jam hai.

Abhi Manisha ne itna hi kaha tha ki Raani ji kamre aayi aur kaha.

Raani ji- Dekho. Savita bitiya ka phone aa raha hai. Result aa gaya kya??

Manisha- Hmmmm
.

Manisha result dekh rahi thi. screen par dekhne ke baad Manisha ne Sarita ki taraf dekhte huwe kaha.

Manisha- Didiya is baar tumhara…….

Manisha ne ye shabdd udase swar mein kahe the jise sunkar Sarita ko laga ki uska selection nahi huwa hai to uski aankho mein aanshu aa gaye. Ye dekhkar Manisha ne kaha.

Manisha- Are pagal tum ro kyon rahi ho?? Tumhari all India mein 22nd rank aayi hai.

Sarita- (jor se chillate huwe) Sachhi.

Manisha ne use gale lagate huwe kaha.

Manisha- Muchhiiii
.

Raani ji ne Khushi se Sarita ka matha chum liya. Aanand ji ne bhi Sarita ko gale lag aliya. Sarita khushi se jhoomte huwe Abhishek ke gale lag gayi aur boli.

Sarita- Main paas ho gayi bhaiya. maine jo chaha tha wo kar dikhaya.

Abhishek- Haan. Sarita . Main bahut khush hoon tumhare liye. Mujhe pahle se hi pataa tha ki tum jarur apne goal ko pa logi.

Sarita ke paas hone ki khabar poore mohalle mein jangal mein aag ki tarah fail gayi. Sarita ko badhayi dene walon ka jamwada lag gaya. Rishtedaro ke bhi lagatar phone aa rahe the. Sabhi Sarita aur uske gharwalo ko badhayi de rahe the.

News channel wale bhi interview lene ke liye aa gaye. Is bich Sarita poori tarah busy thi. use bilkul bhi samay nahi mil raha tha ki wo Nishchal se baat kar paye. Wah sabke bich mein ghiri hui thi. use tanik bhi achha nahi lag raha tha ki wO yahan par aur baithe, uska man Nishchal mein hi laga huwa tha.

Sarita ne pahle hi prayash mein IAS ki pariksha paas ki thi to uski charcha hona lajimi bhi thi. Aaj poore mohalle mein sabki juban par Sarita ka aur uske mummy papa ka hi naam tha. Apni bahan ki kamyabi se Abhishek bhi bahut khush tha.

Jab Sarita thoda free hui to kamre ki taraf jane lagi. Lekin Tabhi Raani ji use lekar Paas wale mandir mein chali gayi. uske naam se pooja ki aur thodi dan dakshina kar aayi. Sham hote hote Sarita bilkul thak chuki thi. Mandir se lautkar aane ke baad Sarita ne Manisha se kaha.

Sarita- Ab ek ghante tak mujhe koi bhi disturb na kar paye. Is baat ka dhyan rakhna.

Manisha- Thik hai didiya. Tum jao aur aaram kar lo thoda.

Wah apne kamre mein gayi to uski najar table mein rakhe phone par gayi. Usne apna phone dekha to usmein 75 miss call pade huwe the.

Sarita ne call check ki to usme Jawed, Mohit, Ranjana, Janhavi, Vikas, Amit aur Kaushal ke bahut sare miss calls the. Sath mein kuchh rishtedaro ke bhi phone the. Unhi mein 3 Miss call nishchal ki bhi thi.

Sarita ne turant Nishchal ko phone kiya to Nishhal ne phone nahi uthaya. Sarita ne apne man mein socha.

Sarita- Haan mujhe pata hai ki aap mujhse gussa hain, warna aap ek baar mein hi meri call utha lete, par main kya karun. Abhi to jakar sabse fursat mili hai.

Sarita ne Sorry ka massage likhkar use bhej diya. uske baad Sarita ne bari bari apne purane collegue se baat ki. Sabhi Sarita ki is achievement se bahut khush the. Sabhi ne Sarita ko badhayi di.

Sabse baat karne ke baad Sarita aaram karne lagi. Lagbhag 1 ghante baad Sarita ko Manisha ne uthaya aur kaha.

Manisha- Didiya chat par jao.

Manisha ne Sarita ki baat sunkar deewar par lagi ghadi ki taraf dekha aur kaha.

Sarita- Are abhi kyon jaun. Abhi to raat ke 8.30 hi baje hain.

Manisha- Haan pata hai mujhe. Ab jyada amma mat bano meri aur chaat par jao.

Manisha ke kahne par jab Sarita chaat par gayi to use waha par kisi ki parchhayi dikhi. Jise dekhkar Sarita ne kaha.

Sarita- kaun hai waha par??

Sarita ki baat sunkar jab wo parchhayi uski taraf ghumi to chand ki halki halki Roshni mein use Nishchal ka chehra najar aaya to wo daukar Nishchal ke sine se lag gayi. dono kuchh der aise hi khade rahe tabhi Nishchal ko Sarita ke sisakne ki aawaz sunayi padi. Nishchal ne kaha.

Nishchal- Kya huwa tumhe. Tum ro kyon rahi ho.

Sarita- I Am sorry. Main aapki call nahi uthaa payi. Aap mujhse gussa to nahi hain na.

Nishchal ne uske sir par hanth ferte huwe kaha.

Nishchal- Tumne aisa soch bhi kaise liya ki main apni lady don se kabhi gussa sakta hoon.

Itna kahkar Nishchal ne use apne se alag kiya aur uska chehra apne dono hatho mein liya aur uske mathe ko chum liya. Sarita sihar gayi.

Sarita ko ummeed nahi thi ki Nishchal usase aise milenga. Nishchal ne Sarita ka hath pakda aur use chat ke ek kinare par le gaya aur bagal mein ek swich onn kar diya.

JIisase waha par rang birangi dher sari lights jal gayi thi. Wahi par ek chhote se table par bahut hi pyara sa chhota sa cack rakha tha. Sarita uski taraf dekhne lagi to usne kaha.

Nishchal- Chalo tumhari khushi selebrate karte hain.

Sarita- (Khushi se) Ye Sab aapne kiya.

Nishchal- Nahi. Ye sab chhote miya aur tumhare bhaai ka kamal hai. unka kahna tha ki jab itne din baad ham dono mil rahe hain to kuchh special hona chahiye.

Sarita- (muskurate huwe) Aap sab na bilkul pagal hain.

Nishchal- hhhhmmmm. Aur tum ham sab paglon ki jaan.

Sarita Nishchal ki baat sunkar uske sine se lag gayi. Kuchh der baad Nishchal ne uska hath pakadkar use apne se alag kiya aur use table ke paas le aaya aur bola.

Nishchal- Chalo ab cack kato.

Sarita- cack main nahi aap kitenge, kyonki meri safalta ke pichhe aapka hath hai. mujhse jyada mehnat to aapne ki hain mujhe exam clear karwane ke liye. Ye sab aapke karan hi possible huwa hai.

Nishchal- Main to bas ek jariya tha Sarita mehnat to tumhari apni thi.. Acchha Ab jaldi se cack cut karo. Tumhare liye mere paas bahut bada surprise hain.

Sarita- Kya surprise hai.

Nishchal- Wo to cack katne ke baad hi pata chalega.

Sarita- Chaliye sath mein cack kat-te hain.

Nishchal aur Sarita ne sath mein cack kata. Fir dono ne ek doosre ko cack khilaya. Fir dono wahi chat ki deewar se take lagakar baith gaye. Un dono ke bich bas aasman mein chamakta chand tha aur dono ke bich khamoshi thi. dono ek doosre ki aankho mein khoye huwe the.

Sarita ne is khamoshi ko todte huwe kaha.

Sarita- Kya surprise tha ab bataiye??

Nishchal- Pahle apni aankhe band karo.

Sarita- Par aankhein kyon.

Nishchal- Tum sawal bahut karti ho. apni aankhein to band karo.

Sarita ne apni aankhein band kar li. Nishchal ne apna mobile nikala, mobile mein kuchh kiya aur Sarita se kaha.

Nishchal- Ab apni aankhein kholo.

Sarita ne apni aankhein kholi to uske samne mobile ki screen par kuchh dikh raha tha. Nishchal ne kaha.

Nishchal- Ab ise padho.

Sarita ne jab use padha to uski Khushi ka thikana nahi raha. Wo Khushi ke mare jor se cheekhne wali thi par Nishchal ne turant uske munh par apna hath rakh diya aur kaha.

Nishchal- Are maine chillane ke liye thode hi kaha tha. padhne ke liye kaha tha.

Sarita ne apne munh se Nishchal ka hath hataya aur uske gale lag gayi. Sarita ki aankho mein Khushi ke aanshu the. Nishchal ne usase pochha.

Nishchal- to kaisa laga mera surprise.

Sarita- ye meri zindagi ka sabse bada surprise hai. lekin aapne mujhe bataya kyon nahi ki aapne bhi ye exam diya tha.

Nishchal- main kaise batata tumhe. Main to shyor bhi nahi tha ki main paas bhi ho paunga, lekin luckly 320 rank aa hi gayi.

Sarita- Lekin aapne kabhi bataya nahi ki aap ka bhi aim IAS ban-na hai.

Nishchal- Ye mera aim nahi tha, lekin tumhari madad karte karte dimag mein khyal aaya ki main bhi ye exam de hi deta hoon. Aur dekho mere luck ne mera sath diya aur main bhi paas ho gaya.

Sarita- Aaj main sach mein bahut khush hoon aur is Khushi ki wajah aap hain.

Nishchal ne uska hath apne hath mein lete huwe kaha.

Nishchal- main chahta hoon ki ta-umar main tumhein aise hi khush dekhun.

Nishchal ki baat sunkar Sarita sharma gayi aur Nishchal ki baho mein simat gayi.

Dono kuchh der aise hi khade rahe tabhi Sarita ka phone bajne laga. Phone Manisha ka tha. Sarita ne phone uthaya to Manisha ne kaha.

Manisha- Didiya Niche aao.

Sarita- Hmmmmmmm. Per Sir bhi to hain sath mein.

Manisha- Pahle tum aao. Main baad mein boss ka intezam karti hoon.

Sarita ne bechargi se Nishchl ki taraf dekha. Wah uski or badha aur uske mathe ko chumte huwe bola.

Nishchal- Tum jao Ab ek hafte baad milte hain.

Sarita ne apni apni bhauhein uthate huwe ishare se poochha.

Sarita- Ek hafte baad kyon??

Nishchal- Ufffff. Tum sawal bahut karti ho.

Sarita- Abhi se hi pareshan ho gaye. Aap to sari zindagi sath rahne ki baat karte hain.

Nishchal- (shararat se) Agar ab tum chup nahi hui na to main tumhare hontho ko kiss kar lunga.

Sarita ne Nishchal ki baat sunkar jhat se apne hontho par apna hath rakh diya. Nishchal uski is harkat par muskura diya. Sarita turant niche chali gayi.

Sarita ke aane ke baad jis tarah Se Manisha Nishchal ko lekar chat par chupke se gayi thi usi tarah Nishchal ko chupke se waha se bahar le aayi. Nishchal apne ghar chala gaya.

Nishchal ne apne ghar mein Sarita aur apne rishte ke bare mein bata diya. Naina ji aur Mahendra ji ko Sarita pahale se pasand thi. kahi na kahi unke man mein bhi yahi khayal chal raha tha, Sarita aur Manisha ko Unhone Savi ki shadi mein hi achhe se parakh liya tha. Isliye unhe is Rishte ke bare mein koi aapatti nahi hui.

Naina ji aur Mahendra ji ne Iske bare mein Raghav aur Savita se bhi baat ki. Dono ko pahle hi Nishchal aur Sarita ke bare mein pata tha to unhe bahut Khushi hui aur unhone is rishte par apni muhar laga di.

Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
Amazing update dear.IAS exam dena aur uski preparation karna koi mamli bat nahi. sarita ke liye liye aur respect badh gaii hai. rasta muskil hai sichke usne kabhi piche nahi hati. Nishchal bhi ek sath kadam babhye ja raha hai.
ho sakta hai agle kadi me dono ki shadi ka date fixed ho jaye.
 
Member
109
101
28

Jo bhi baat thi sab dono ne sher kari dono premi mil gaye
 
ADMIN :D
Senior Moderator
12,165
10,208
145
UPDATE- 15

Kaluwa, Sahar ka naami gunda tha. Uska main boss kaun tha ye use nahi pata tha. Bas wo Bachha Singh ke kahne par Hafta wasuli aur hawala ka kaam Us area me karta tha. Kaluwa 40 sal ka hatta katta mard tha. Dekhne me hi bada darawna tha. Log uski shakal aur sharir dekhkar hi dar jate the. Wo ekdam raubdar baat karta tha Samne wale se, lekin tha iske bilkul ulat.

Uska sharir hi hatta katta tha, wo dikhta hi darawna tha. Lekin usme ek kami ye thi ki agar uske sathi uske sath nahi rahte the. Matlab agar wo akele rahta tha aur use raat me kahi jane ke liye bol diya jaye to dar ke mare uski shushu nikal jati thi. Wo thoda darpok kism ka insan tha. Lekin Kuchh khas sathiyon ko chhodkar uski ye baat koi nahi janta tha.

To jab usne Sarita ke baare me suna to wo Sarita se kuchh deal karne ke liye sochne laga, kyonki Jab se Sarita ne Field ka kam shuru kiya tha Kaluwa ka wasuli ka dhandha manda padne laga tha. Aise hi ekdin Sarita Apni cabin me baithi kaam kar rahi thi. Tabhi kaluwa apne tin aadmiyo ke sath PS aata hai. PS aane ke baad usne bade robdar aawaz me hawaldar se kaha.

Kaluwa- Sun be. Hamka tohre inspector madamwa se milne ka hai. Ja bol de usko ki kaluwa aaya hai.

Kaluwa ki raubdar aawaz sunkar Hawaldar dar gaya. Kyonki kaluwa ko PS me lagbhag sabhi jante the. Uske upar bahut se case the, lekin koi subut hi nahi tha. Isliye use kisi ne arrest nahi kiya tha aur arrest karta bhi kaun. Abhi tak koi diler policewala aaya hi nahi tha is thane me. Aur agar kisi ne use ek do baar galti se arrest kar bhi liya to wo kuchh hi der me chhut jata tha. Isliye uske kahne par hawaldar Sarita ke cabin me chala gaya aur use bataya ki kaluwa usase milna chahta hai.

Sarita ne file me kaluwa ka naam padha tha, isliye usne andaza laga liya ki ye kaluwa file wala hi insan hai. Sarita ne use andar bhejne ke liye kaha. Hawaldar ne kaluwa ko andar jane ke liye bol diya. kaluwa gate ke paas jakar bina pooche andar chala gaya aur kursi par baith gaya. Ye dekhkar Sarita ka para high ho gaya. Usne kaluwa ko gusse se dekhte huwe kaha.

Sarita- ye kya badtamizi hai tumhari. Bina pooche mere cabin me aa gaye aur bina meri izazat ke tumne biathne ki himmat kaise ki. Tum bahar jao aur mujhse permission lekar andar aao aur jab tak main na kahu tab tak baithna bhi mat.

Kaluwa ko Sarita ki baat par bahut gussa aaya, lekin wo gusse ko kabu karte huwe kursi se uthkar bahar chala gaya, wo yaha par kaam banane aaye tha na ki kam bigadne. Isliye wo kuchh nahi bola. Cabin se bahar jane ke baad kaluwa ne darwaza kholkar Sarita se poocha.

Kaluwa- kaa ham andar aai saki thi.

Sarita- Haan aa jao andar.

Kaluwa apne sathiyo ke sath Sarita ke kabin me chala gaya. Sarita apni file dekh rahi thi to kaluwa jakar kursi ke paas khada ho gaya. Sarita ne hanth ke ishare se use baithne ke liye kaha to kaluwa baith gaya. Baithne ke kuchh der baad jab Sarita file se free hui to usne kaluwa ko dekhte huwe kaha.

Sarita- to haan mister…

Kaluwa- (bich me hi) ji kaluwa, hamka kaluwa kahte hain.

Sarita- Haan to mr. kaluwa. Aapne yaha aane ka kasht kyon kiya. Kuchh kaam tha kya.

Kaluwa- U ka hai madam. Aapp etna din se is PS me hain. Sasura hamka tau pata hi nahi chala. Aur jaise hi pata chala hai bhagte huwe aa gaye aapke paas. U kaa hai na madam. Is PS me jab kauno nawa inspector aata hai to ham usase milane jaroor jata hai. Aakhir AAp hi logan ki chatr chhaya me tou rahna hai ham logan ke.

Sarita- to yahi kahne aaye the kyaa aap.

Kaluwa- Are nahi madam. Ei tau baat ke shuruaat rahe. Asal baat to ei hai ki jo bhi nawa inspector hiya aata hai. Ham okra ke parsad chadhane aata hai. Ham aapke liye bhi parsad laya hai. O sambhu jara uu dabba to dena.

Kaluwa ki baat sunkar uska ek sathi jiska nam sambhu tha usne ek box Kaluwa ko de diya. Kaluwa ne us box ko kholkar Sarita ke samne rakh diya. Us box me paise the. Jise dekhkar Sarita ne kaha.

Sarita- Ye sab kya hai kaluwa. Tum mujhe ghoos dene ki koshish kar rahe ho.

Kaluwa- Na maidam ji naa. Ei ghus na hai. Ei parsad hai. Jise ham aapko chadane aaya hoon. Abhi ye 2 lakh aap rakhiye. Har mahinwa aapko 2 Lakh rupaiya pahucha denge. Ham Sab mil baat kar khawa karenge. Bas aap hamare kauno kaam me dakhal na de maidam. Nahi to Aapki tabiyatwo kharab hoi jayi.

Sarita- Tumhari itni himmat ki tum mujhe mere hi PS me dhamki de rahe ho.

Kaluwa- Ei dhamki na hai madam. Ye tau hamare Sabhi inspector ko samjhane ka andaz hai. Kauno jaldi samajh jata hai tou kauno der me samajhta hai. Lekin samajhta jaroor hai madam.

Sarita- aur jo nahi samajhta hai wo.

Kaluwa- Tau uu is duniya ko chhodkar chala jata hai.

Kaluwa ki baat sunkar Sarita ko bahut gussa aata hai aur wo gusse se laal pili ho gayi aur usne apni kursi se uthkar kaluwa ko collar pakada aur do jhannatedar thappad kaluwa ko galo par rasid kar diya. Sarita chillate huwe boli.

Sarita- Sale. Teri himmat kaisi hui mujhe dhamki dene ki. Mujhe ghoos dene ki koshish karta hai tu. Maine ye Police ki wardi tum jaise gundo mawaliyo se hanth milane ke liye nahi pahni hai balki tum jaiso ka hath pair todne ke liye pahni hai. Agar apni salamti chahta hai to turant yaha se bhag ja.nahi to aisa charge lagakar andar karungi ki sari jindagi jail me sadta rahega. Chal utha apna parsad aur dafa ho ja yaha se aur duwa karna ki mere sath tera dobara samna na ho. Nahi to wo din teri aazadi ka aakhiri din hoga. Samjha.

kaluwa thappad khakar apne gal par haath rakhkar Sarita ko gusse se dekhte huwe kaha.

Kaluwa- Ae Laundiya. Teri itni himmat ki tu mujhpar hanth uthati hai. Kal ki aai chhokri kaluwa par hath uthati hai. Teri to main…….

Sarita- (baat bich me katkar) Chup bilkul chup. Tu samajhta kya hai mujhe. Ye wardi maine tujh jaise kutte ki gulami aur talve chatne ke liye nahi pahani hai. Wo koi aur rahe honge jo tere tukdo par pahlte rahe honge. Lekin Sarita joshi ka jameer itna sasta nahi hai ki tujh jaisa do take ka gunda mawali use kharid sake. Ab teri bhalai isi me hai ki tu jitni jaldi ho sake nikal le yahan se. nahi to tujhpar aise aise charge lagakar andar dalungi ki jindagi bhar jail me sadta rahega.

Sarita ne ye baat gusse me dant piste huwe kahi thi. Jise dekhkar kaluwa ke sath aaye hue uske sathi dar gaye. Unhone waha se khisakne mein hi apni bhalayi samajhi. Wo sab kaluwa ko Sarita ke cabin se kheechte huwe bahar lekar jane lage. Kaluwa bahar jate huwe Sarita ko dhamki dena nahi bhoola.

Kaluwa- Ae laundiya. Tune mujhpar hanth uthakar achha nahi kiya. Tujhe iski bahut badi keemat chukani padegi. Yaad rakhna main tujhe chhodunga nahi. Teri zindagi nark bana doonga. Tujhe pata nahi hai ki tumne kisase panga liya hai.

Sarita ko dhamki deta huwa kaluwa PS se bahar jata raha. PS me upasthit sabhi junior cabin ke andar se aati aawaz sunkar samajh gaye the ki cabin ke andar gahma gahmi ho rahi hai. Sarita bhi apne cabin ke gate par aakar khadi ho gayi aur kaluwa se boli.

Sarita- Tujhko jo uthakdna hoga ukhad lena. Main kisi ke Baap se darti nahi hoon. Aur apne baap se bhi kah dena ki usase jo ban pade wo kar le. Lekin mere rahte teri ye gundagadri is area me chalne nahi doongi. Yaad rakhna.

Itna kahkar Sarita apne cabin me chali gayi aur kaluwa apni beizzati karwakar PS se bahar chala gaya. Kuch der baad Rawat Sir ne Sairta ko apne paas bulaya aur kaha.

Rawat Sir- Ye sab kya tha Sarita bitiya. Tumhe nahi pata ki wo kitne khatarnak gunde hain. Abhi tumhe Office join kiya huwe kitne din huwe hain aur aate hi tumne Kaluwa se dusmani mol le li.

Sarita- To aap ye kahna chahte hain ki mujhe chupchap uski baat man leni chahiye thi aur wo jo bhi karta usme mujhe uska sath dena chahiye tha.

Rawat Sir- Dekho Sarita tum meri beti jaisi ho. Isliye main tumhe koi galat salah nahi doonga. Main ye nahi kah raha hoon ki tumko uski baat man leni chahiye thi ya uska sath dena chahiye tha. Main to bas ye kah raha tha ki wo bahut khatarnak log hain. Bina unke baare me jane tumhe unse dusmani nahi karni chahiye thi. Main manta hoon ki tum bahadur ho. Hoshiyar ho, lekin hamesha bahaduri hi kaam nahi deti beti. Kabhi kabhi bahaduri ke sath dimag bhi lagana padta hai. Aur abhi samay ki maang ye hai ki tumhe usase dusmani nahi karni chahiye thi. Aage se tum is baat ka dhyaan rakhna.

Sarita- Thik hai Sir. Aage se main sochungi is bare me. Lekin agar kisi ne mujhe khareedne ki koshish ki to main use chhodungi nahi.

Itna kahkar Sarita apne cabin me chali gayi aur apni filo me vyast ho gayi. Sham ko PS se ghar aa gayi. Isi tarah Sarita ki dincharya chalti rahi. Sarita ke kam aur tez tarrar mizaz ke uske junior kayal ho chuke the. Dhire dhire karke 25 din ka samay bit gaya kaluwa ko PS me aaye huwe. Sarita ne Field par apne karya karne ki activities tez kar di.

Ek din kisi mukhbir se Sarita ko khabar mili ki Kaluwa kisi bade business man ke sath Carodo rupayon ki deal karne wala hai. Ye khabar milte hi Sarita Bina Seniors ko bataye Javed, Mohit, Amit aur Janhavi aur 4-5 hawaldar ko lekar Mukhbir ki batayi hui jagah par pahuch gayi. Wo jagah kuchh khandharnuma thi. Hawaldaro ko bahar choodkar Sarita ne kaman sambhali aur Sabhi ne apni gun me silencer lagaya aur chhupte chhupate main gate par pahuch gayi.

Main gate par do gunde apni gun ke sath tainaat khade the. Sarita Sabse aage thi. Usine mohit ko ishara kiya. Mohit ne turant aage aakar ek gunde par goli chala di, goli lagne se gunda jameen par gir pada. Ye dekhkar uska sathi mohit par goli chalane hi wala tha ki Sarita ne doosre gunde ko goli maar di aur aage badh gayi. Aage badhte huwe uski najar Amit par padi to wo mobile me kuchh kar raha tha. Ye dekhkar Sarita ne gusse se magar dhimi aawaz me kaha.

Sarita- Amit. Ye kya kar rahe ho tum. Ham yahan dusmano ke ilake me aaye hain aur tum mobile chala rahe ho. Tum apne sath sath sabko marwana chahte ho kya. Chupchap apna mobile swichoff karo aur mission par dhyaan do.

Sarita ke aisa kahne par Amit ne mobile apni jeb me rakh liya aur unke sath aage badh gaya. Kuchh aage jane ke baad do aur gunde ek darwaze ke paas khade pahra de rahe the. Janhavi ne ek ko nishana banakar goli chala di. Jo sidhe uske bheje ke paar ho gayi. Lekin is daruan uska pair ek patthar se takra gaya. Jiske karan wo gir padi.

Jab tak doosra gunda koi harkat karta. Jawed ki goli uske sir ko phodte huwe bahar nikal gayi. Dono gundon ke niche girnte hi uSabhi ne position li aur jawed ne ek jor ki lat darwaze par mari. Jisase darwaza bhadam se khul gaya aur pancho dandanate huwe andar ghus gaye. Andar kisi ko kuchh samajh aata usase pahle hi jawed aur mohit ne apni gun Kaluwa aur us businessman ke agent ke sir par tan di. Sarita ne kaluwa se kaha.

Sarita- Khabardar. Hilne ki koshish bhi mat karna. Nahi to bheja uda dungi tum sabka. Apne aadmiyo se kaho ko hathiyaar dal de chupchap.

Kamre ke andar do hatte katte aadmi hathiyar liye khade the. Kaluwa aur wo agent aur agent ke sath ek aur aadmi baitha huwe tha. Kaluwa ke ishare par dono aadmiyon ne apni gun niche jameen par rakh di. Jise Janhavi aur Amit ne utha liya aur dono aadmiyon ko apne nishane par le liya. Sarita ne kaluwa ke paas aakar use ek thappad kheechkar mara aur kaha.

Sarita- Maine tujhse us din kaha tha na ki jab tak main hoon. Main teri koi bhi gunda gardi nahi chalne doongi. Ab tu chal apni sasural me aur wahi baith kar tum dono hawala ka kaam karna. Tum dono ko to aisi saza dilwaungi ki tum bhi kya yaad rakhoge ki kisase pala pada tha.

Kaluwa- (gusse se). Ae laundiyaa……

Sarita- Sarita. Sarita joshi naam hai mere. Aur bahut jald ye naam tere nas nas me bas jayega, kyonki main teri aisi khatirdari karungi ki tu uthate baithte mera hi naam lega.

Kaluwa- tu mujhe janti na hai ladki. Main kaun hoon. Aur meri pahuch kaha tak hai tujhe andaza bhi nahi hai. Ham khade khade teri wardi utarwa sakta hoon.

Sarita- Aawaz niche. Tu kaun hai be. Koi top hai tu. Sale gandi nali ke kide. Tu ek sadakchhap gunda hai jo apne kutton ke dam par uchhalta hai. Ab chupchaap apni sasural chal. Agar jyada chhu chapad ki na to yahi thok doongi tujhe main. Aur koi mera kuchh bhi nahi bigad payega. Mamla fairing ka dikhakar file band kar dungi main. Samjha. Isliye teri bhalai isi me hai ki tu chupchap mere sath chal aur niche vain me baith jaa. Mujhe kanoon apne hanth me lene par vivash mat kar.

Sarita ki baat sunkar kaluwa ke man mein bhay aa gaya aur wo. Uske aadmi aur agent aur uske sath ka aadmi jakar bahar khadi vain me baith gaye. Sartita ne Kaluwa ko lejakar Lockup me patak diya. Kaluwa Sarita ko Dhamki dete huwe bola.

Kaluwa- Ae laundiya. Tu jyada din mujhe is lock-up me nahi rakh payegi. Bahut jald main yaha se Chhoot Jaunga fir dekhna main tera kya haal karta hoon.

Sarita- Chup kar kutte. Main bhi dekhti hoon ki tu kaise chhut-ta hai. Agar Chhut bhi jata hai to uske pahle teri itni khatirdari karungi ki tujhe apne paida hone par Afsos hoga. Abhi mujhe ye bhi to jan-na hai ki tera baap kaun hai.

Kaluwa- wo tu kabhi nahi jaan payegi. Aur mera baap tujhe chhodega nahi.

Kaluwa ke itna kahne ke baad Sarita ke ishare par Mohit aur Javed Lockup me chale gaye aur Uski khatirdari karne lage. Bahut maar khane ke baad bhi kaluwa ne apna munh nahi khola.

Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
Sarita jo kar rahi hai woh sahi hai par uska tarika galat hai. Woh josh mein kuch jyaada hi aage badhe jaa rahi hai jo shayad future mein uske liye galat saabit hoga.

Aur mujhe aisa kyo lag raha hai ke Sarita ke teammates mein se koi gaddar bhi hai jo shayad Bachha Singh aur Kaluwa se mila hua hai. Hosakta hai woh Amit naam ka ladka mila hua hai

As always the update was great, You are writing very well, Now let's see what happens next:five:, Till then waiting for the next part of the story. :waiting:
Thank You...
:thank-you::thank-you::thank-you::thank-you::thank-you::thank-you::thank-you:
 
ADMIN :D
Senior Moderator
12,165
10,208
145
UPDATE- 16

Kaluwa- wo tu kabhi nahi jaan payegi. Aur mera baap tujhe chhodega nahi.

Kaluwa ke itna kahne ke baad Sarita ke ishare par Mohit aur Javed Lockup me chale gaye aur Uski khatirdari karne lage. Bahut maar khane ke baad bhi kaluwa ne apna munh nahi khola.

****************

Usi samay Wahi thodi door ek khandhar me Bachchaa Singh, Umar 35-36 ke kareeb thi. Ek revolving chair par baitha huwa tha. Sharir se ekdam hatta katta insan tha Bachha singh. Wahi paas me uske Aadmi baithe huwe paisa gin rahe the. Bachha singh ne apne aadmiyo me se ek se kaha.

Bachha Singh- Kyon be Raka. Kitna Collection huwa hai Aaj ka.

Raka- 10 Lakh Rs. Huwe hain Maai baap.

Bachha singh gusse se kursi se uth khada huwa aur bola.

Bachha Singh- Kya bolta hai be. Sirf 10 Lakh. Salon din bhar me 50 laakh se jyada collection hota hai aur tum bol rahe ho ki 10 Lakh hi hue hain. Main pichhle kuchh dino se dekh raha hoon ki collection me roj kami aati ja rahi hai. Tum sab nithalle ho gaye ho ya tum log mere sath dhokha kar rahe ho.

Raka- Nahi maai baap. Aapke sath dhokha karke hame marna thodi hai. Collection kam hone ka karan wo Inspector hai jo Nawa Nawa is thane me aaya hai.

Bachha singh- (hanste huwe) ka bola be. Ek Adane se inspector ko wajah se collection kam ho gaya hai. Tune aaj din me bhi Chadha rakhi hai kya.

Raka- Nahi maai baap. Wo Ispector bahut khatarnak hai. Jab se Aai hai Usne hamari naak me dam karke rakha huwa hai. Bahut kadak Inspector hai wo.

Bachha singh- Ka bola be tumne. Aai hai.

Raka- Haan maai baap. Wo inspector ek aurat hai. Jise hamari naak me dam kar rakha hai.

Bachha Singh- Ka bola be. Aurat hai wo. Salo tum logo ne bacha singh ka naam mitti me mila diyo. Ek Aurat se Dar gaye. Thhuu hai tum logan par. Sala main tum logo ko faltu me paal raha hoon. Ek aurat se darker collection kam kar diya tum sab ne. Kaluwa kahan hai. Use bolo ki Us Inspector ko Uska parsadi pahucha de.

Raka- Kaluwa boss gayaa tha maai baap, lekinn………..

Bachha Singh- Lekin kya.. teri juban talu me atak gayi hai kya jo bol nahi nikal rahe hain.

Raka- Kaluwa gaya tha Us Inspector ko uski parsadi dene. Lekin usne Kaluwa boss ko hi parsadi de kar thane se nikal diya. bahut insult kiya usne Kaluwa boss ka. Thaapad bhi mara usne boss ko. Wo bahut hi tez tarrar hai Maai baap. Sidhe kes banakar jel me dalne ki dhamki deti hai.

Bachha- Kyaa. Aur ye tum mujhe ab bata rahe ho nikammo. Lagta hai Us Inspector se milna hi padega. Tum sab sale ek aurat se darte ho. Ham to police ko apni jeb me lekar ghoomte hain to ye to ek aurat hai. Ise to main chutkiyo me masal doonga agar jyada chuu chapad ki usne to. Meeting fix karwao usase meri.

Abhi Bachha singh ne itna hi kaha tha ki Uska phone bajane laga. Usne Sabko Chup rahne ka ishara kiya aur phone utha liya.

(Note- Bachha aur Uska bhaai Raghu Is poore area ko sambhalte hain. In dono ke upar 2 Boss hain inke. Jinko In dono ke alava Aaj tak kisi ne dekha nahi tha un dono se baat karne ke baad Raghu aur Bachha singh ko jo disha nidesh milte rahte the ye Usi nidesh par apna kaam karte rahte hain. Sabse Bade boss ko ye log Sarkar kahte hain Aur usase niche wale ko boss bolte hain. To main bhi ek ko Sarkar Aur Ek ko boss kahkar hi sambodhit karungi.)

Bachha Singh- Namaste boss.

Boss- Namaste ko maar goli. Tum sab ye kar kya rahe ho. Tum log ekdam nikamme ho gaye ho kya. Tumhe pata bhi hai, Kaluwa ko aaj wo kal ki aayi laundiya ne pakadkar jel me dal diya hai aur uski ache se khatirdari kar rahi hai. Mujhe lagta hai ki tum log ab kisi kaam ke nahi rah gaye ho.

Bachha Singh- Kyaa. Kaluwa ko us inspector ne pakad liya. Kab, kahan, kaise, Mujhe to pata hi nahi Hai iske bare me boss.

Boss- Isiliye to kah raha hoon ki tum Sab kisi kaam ke Nahi rah gaye ho. Tumhe apne Sathi ke baare me koi jankari nahi hai. Agar Sarkar ko pata chala to wo kitne naraz ho jayenge. Ye to tumhe pata hi hoga. Pichhli baar Raghu ke pakde jane par wo kitna naraj ho gaye the. Wo alag baat hai ki Raghu kuchh hi ghanto me chhoot gaya tha. Tum jaldi se kaluwa ko chhudwane ke intezam karo Sarkar ko pata hone se pahle hi. Aur jitni jaldi ho sake us Inspector ka kuchh socho. Nahi to hanth me katora lekar bheekh mangni padegi tum logo ko.

Bachha singh- Thik hai boss main kuchh karta hoon. Aap chinta mat kariye. Aur agar Sarkar ka phone aaye to aap unhe sambhal lena.

Itna kahkar Bachha siingh ne phone rakh diya. Phone rakhte hi raka ne usase poocha.

Raka- Kya huwa maai baap. Aap bahut tension me lag rahe hain.

Bachha singh- Kaluwa ko us inspector ne pakad liya hai. Boss bahut naraz ho rahe hain. Sarkar ko pata chalega to pata nahi kya hoga.

Raka- Ab kya karenge ham log maai baap.

Bachha singh- Tum logo se kuchh nahi hoga. Ab jo bhi karunga main hi karunga wo bhi Raghu ke aane se pahle. Tumhe to pata hai ki wo bahar gaya hai kuchh kam se. agar wo Yahan par aa gaya to bahut bawal machayega. Uski naak par gussa jo rahta hai hamesha. Lagta hai ek baar us inspector se milna hi padega. Abhi Sab yahan se apne apne ghar ke liye nikal jao baad me milta hoon main.

Uske baad sab apne apne ghar ko nikal gaye. Aaj ka din aise hi beet gaya. Do-teen din tak kaluwa ko chhudane ka bahut prayatn kiya Bachha singh ne lekin Sarita ne use nahi chhoda. Aakhirkar Sarkar ne apni political power ka istemal karke Kaluwa ko chhudwa hi liya

*******

Is mamle mein CO Nischal Singh Rathod ko bhi apne Senior Officer ki dant sun-ne ko mili. Kyonki Sarita ne ye sab bina Uski parmission ke kiya tha aur Sarita usi ke undar me thi.

Ek subah Sarita Apne cabin me baithi file me apna sir khapa rahi thi tabhi CO Nischal Singh Rathod Sarita ke cabin me aaye. Sarita ne Apni kursi se uthkar Nischal ko Salute kiya. Nischal Singh Rathod ne Uske Salute ka jawab diye bina gusse me usase kaha.

Nischal- Tum samajhti kya ho apne aapko. Tumhara jo man karega tum wo karogi. Ye tumhara ganv nahi hai ki jo man me aaye wo karo Samjhi tum.

Sarita- Sir. Aap mujhse aise kaise baat kar sakte hain. Maine aisa kya kar diya jo aap bina matlab mujhe dant rahe hain.

Nischal- Kya kiya tumne. Kiski permission se tumne waha par raid dali aur Kaluwa ko pakda tha. Chalo ye bhi thik hai ki tumne use pakada. lekin tumne ek baar bhi mujhe batana jaroori nahi samjha. Main tumhara boss hoon tum meri nahi. To tumhe mujhe batana chahiye tha.

Sarita- Lekin maine koi galat kaam nahi kiya. Haan ye sahi hai ki maine aapse permission lena jaroori nahi samjha, lekin us samay setuation aisi thi ki agar main permission ka wait karti to kaluwa aur uske sathi apna kaam karke ja chuke hote. Fir us permission ka koi matlab nahi nikalta. Lekin mujhe ye samajh nahi aata ki aap meri tareef karne ke bajay mujhe suna rahe hain.

Nischal- Sunau nahi to aur kya karu main. Tumhare is karname se mujhe apne alaa adhikariyo ki dant sun-ni padi. Ki main apne junior ko control nahi kar sakta. Tumne koi galat kaam nahi kiya, kyonki apradhiyon ko pakadna aur un par control karna hi hamara farz hai. Tumne Permission nahi li thi to kam se kam ek baar mujhe batana tha tumhe is bare main. Main tumhara boss hoon to mujhe har baat ki jankari honi chahiye. Tum aise kisi kaam me apni manmani nahi kar sakti ho.

Sarita- Main is baare me aapko batana jaroori nahi samjha. Aur aage bhi agar mujhe kuchh galat laga to uske khilaf main action lene me koi Kotahi nahi bartungi.

Nischal- Jaroori nahi samjha se kya matlab hai tumhara. Tumhari wajah se mujhe bahut sun-na pada hai alaa adhikariyo se. iska badla main tumse lekar rahunga. Ab to tumse meri doosri baar dusmani ho gayi hai. Savdhan rahna tum. Meri najar hamesha tumpar hi rahegi. Tumhe apni galtiyon ke liye saza jaroor milegi aur wo saza main khud tumhe doonga.

Sarita- Aapko jo karna ho kar lijiyega. Lekin main apna farz nibhane ke liye apke samne nahi jhukungi.

Nischal ye baat sunkar dant pista rah gaya aur Sarita ke cabin se bahar aa gaya aur thane se bahar nikal gaya.

Nischal ke jane ke kuchh der baad hi bachha singh PS me aaya aur usne Sarita se milne ke liye hawaldar se anumati mangi. Kyonki bachha singh ke sara kaam kaluwa hi karta tha. Isliye bachha singh ko jyada koi policewala janta nahi tha. Hawaldar ne usase poocha.

Hawaldar- Kya kam hai aapko madam se.

Bachha- Mujhe ek bahut jaroori suchna maidam ko deni hai.

Hawaldar ne ye sunkar bachha ko Sarita ke cabin ki taraf ishara kar diya. Bachha Sarita ki cabin ke paas pahuchkar darwaza khola aur kaha.

Bachha- kya main andar aa sakta hoon madam.

Sarita- Yess come in.

Sarita ki baat sunkar bachaa cabin ke andar aa gaya aur bola.

Bachha- namaste maidam.

Sarita- Namaste. Baithiye. Kuchh kaam tha aapko.

Bachha- ji mera naam bachha singh hai. Aapke baare me bahut suna hai maine. Aap apna kaam bahut imandari se kar rahi hai. Bahut charche hain aapke.

Sarita- Agar aapko yahi sab kahna hai to aap ja sakte hain. Mujhe apni tareef sun-ne me koi intrest nahi hai. Agar aap ko mujhse kuchh madad chahiye to aap boliye. Nahi to aap jaiye mujhe bahut se kaam poore karne hain jo pending me hain.

Bachha Singh- (lambi sans lekar) thik hai madam jab aap kah rahi hain to main mudde par aata hoon. Wo kya hai na madam. Jab se aap aai hain aapke karname bahut sune hain maine to maine socha ki aapse thodi jaan pahchan badha li jaye. Aur waise bhi is kursi se mujhe bahut pyaar hai. Aakhir is kursi par baithne wala apna bahut khaas ho jata hai. Is kursi par baithne wale ke sath apna gahra yarana ho jata hai. Bas wahi yari nibhane ke liye main yahan aaya hoon.

Sarita- matalab kya hai tumhara Saaf Saaf kaho.

bachcha Singh ne Sarita ki baat sunkar hajaar hajaar ki do gaddi nikalkar sarita ke samne rakh di aur bola.

Bachcha singh- wo kya hai na madam. Mera kaam hi aisa hai ki police walon ko sath mein milakar chalna padta hai. To main ye chahta hoon ki aap mere kaam ke bich mein dakhal na diya kijiye. Jiski kimat aapko hamesha milti rahegi.

Sarita ek to Nischal ki bato se pahle se hi thoda gusse me thi. Bachha singh ki baat sunkar uske gusse ka para satve aasman par pahuch gaya. Usne gusse se chillate huwe kaha.

Sarita- Apne paise uthao aur Dafa ho jao yaha se Abhi ke Abhi.

Bachhha- Are madam aap to hamse naraz ho gayi. Ham yaha aapko naraj karne thodi hi aaye hain. Ham to aapke sath dosti karna chahte hain. Aakhir chor chor mausera bhai hota hain. Lekin aap aurat hain to aap bhai ki jagah meri bahan ban jana. Main khali hanth thodi hi aapse dosti karne ke liye aaya hoon. Main apni dosti ki shuruaat aapko tohfa dekhar karna chahta hoon. Ye to ek nangi hai. Asali tohfa to abhi baki hai. Mujhe ummeed hai ki mera tohfa dekhne ke baad aap inkar nahi kar payengi.

Itna kahkar Bachha Singh he hajaar hajaar ke noto ki 2 gaddi aur ek parcel jisme sone ke biskits the, nikal kar Sarita ke table par rakh di. Paisa aur sona dekhkar Sarita ka para aur chadh gaya aur wo noto ki gaddi uthakar bachha singh ke munh par mar kar fufkarte huwe boli.

Sarita- Kamine mujhe khareedne ki koshish karta hai. Sarita joshi ka iman itna sasta nahi hai ki chand noto ki gaddi dekhkhar bik jaye. Tu dafa ho ja yaha se nahi to rishwat dene ke jurm me tujhe andar kar doongi. Kausal. Janhavi. Kaha ho tum dono.

Sarita ki aawaz sunkar Kaushal aur janhavi. Sarita ke cabin me pahuch gaye aur waha Bachha ko paisa Aur visits jameen se uthate dekhkar wo samajh gaye ki kya majra hain. Kausal ne kaha.

Kaushal- Ji madam aapne bulaya mujhe.

Sarita- Ise abhi ke abhi bahar ka rasta dikha do aur ise bol do ki ye mere PS me dobara nahi dikhna chahiye.

Sarita ki baat sunkar Kaushal Bachha singh ki banh pakadkar use Sarita ke cabin se bahar le jata hai. Uske jane ke baad Sarita janhavi se kahti hai.

Sarita- pata nahi kahan kahan se chale aate hain. Inhe lagta hai ki main Sarkar ke liye kaam nahi kar rahi hoon balki inke liye kam kar rahi hoon. Jab man me aaye munh uthakar chale aate hain. Agali bar se kisi ko bhi andar bhejne se pahle poori janch padhtal karne ke baad hi use mere paas bhejna.

Janhavi- sorry madam. Aage se is baat ka dhyan rakhungi main. Usne to hawaldar se aapse milne ke liye poochha tha to hame laga ki aapka koi janne wala hoga. Isliye hamne use andar aane diya. aage se poori janch padtal karne ke baad hi aapke paas bhejungi.

Sarita- Thik hai Janhavi. Ab tum bhi jakar apna kaam karo.

Janhavi- thik hai madam. Agar aapko chaai pina ho to main aapke liye chaai bhijwau maidam.

Sarita- Thik hai Janhavi.

Sarita ki baat sunkar janhavi uske cabin se bahar aa gayi aur hawal dar se Sarita ko chaai dene ke liye bol diya. thodi der me hawaldar Sarita ko chaai dekar bahar aa gaya.

********

PS se nikal kar Bachha singh apne adde par pahucha. Waha par rakha aur uske kuchh sathi pahle se hi maujuud the. Bachha ke jate hi sabhi ne use salam thoka. Bachha apni kursi par baith gaya aur Raka ko apne paas bulaya aur kaha.

Bachha. Tum sahi kahate the. Wo to Sali bada current marti hai. Bahut tez tarrar hai wo to. 2 lakh aur sona dekhkar bhi nahi pighli wo. Mujhe jel me dalne ki dhamki bhi de di usne. Badi katili laundiya hai be wo to. Lekin use nahi pata ki usne kisase panga liya hai. Bachha singh se. Bachha singh se panga lene ke baad aaj tak kisi ka bhala huwa hai jo uska hoga. Bahut mahanga padega use bachha singh se dusmani mol lena.

Raka- wo to thik hai Sahi hai maai baap. Lekin ab aage kya karna hai hame.

Bachha- Abhi tum logo ko kuchh nahi karna hai. Meri mano to kuchh din tak kahi chhup jao aur ye kaam kuchh din ke liye rok do. Wo Sali dimag se satki hui hai kuchh bhi kar sakti hai. Main baad me bataunga tum logo ko ki kya karna hai. Aur wo laundiya logo ki bahut madadgar ban rahi hai. Bahut sauk hai use imaandari se naukari karne ka. Uski naukari uski imaandari hi legi.

Main koi aisa chakkar chalaunga ki wo chhatpatati rah jayegi, logo ko apni imandari ka ehsas karwati rahegi, lekin uski baat par koi bharosha nahi karega. Mujhse dusmani leti hai. Bahut uchal rahi hai wo apni vardi ke dam par to ab uski wo vardi ab main hi utarwaunga. Fir dekhta hoon ki kitna uchhalti hai. Aur suno tum sab. Is bare me Raghu ko bilkul bhi pata nahi chalna chahiye.

Raka- Kyon maai baap. Unhe bhi to is baat ki jankari hona bahut jaroori hai.

Bachha- tum samajh nahi rahe ho. Agar use ye baat pata chal gayi to wo apna kamdham chhodkar kal hi yaha wapas aa jayega. Aur tum to usko jante hi ho. Baat kam karta hai aur marta jyada hai. Pata laga jo mamla aasani se sulajh sakta hai wo yaha aakar is laundiya ko ludhka diya to bina matlab bakheda khada ho jayega. Main apne tarike se mamale ko suljhaunga.

Raka- wo to thik hai lekin baad me unhe pata chala to wo gussa ho jayenge.

Bachha- Use main baad me apne tarike se handle kar lunga. Pahle is laundiya ka koi bandobast to kar doon. Is mamale me markat ki jaroorat nahi hai. Chalo ab tum sab nikalo yaha se. kuchh din sab chupchap baith jao. Jaisa bhi hoga main bataunga tum sab ko.

Iske baad sabi waha se apne apne ghar ko chale gaye.

Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
Sarita ki musibat badhti jaa rahi he.naya villain Bacha singh ka entry.kese itne musibat ka samna karegi bichari.Nischal ko Sarita ki help karna chahiye lekin wo sarita ko pareshan kar raha he.

As always the update was great, You are writing very well, Now let's see what happens next, Till then waiting for the next part of the story.
Thank You...
:thank-you::thank-you::thank-you::thank-you::thank-you::thank-you::thank-you::thank-you::thank-you::thank-you:
 
Will Change With Time
Moderator
8,521
16,933
143
UPDATE- 96

Sarita aur Aanand ji Raani ji ki baat sun rahe the. Abhi wo kuchh bolte tabhi waha par Manisha aa gayi. darasal wo chaai ka tray lekar aayi thi. usne bhi apni mummy ki bate suni to usne kaha.

Manisha- Mummy. Logo ka to kaam hi hai kisi baat ko badha chada kar kahna. Kisi chhoti si baat ka batangad banana. Aap shayad bhool rahi hai mummy ki ye wahi log hain jo Didiya ke selection ho jane par phule nahi sama rahe the aur ghar aakar aap se bol rahe the ki beti ho to Sarita ki tarah ho.

apni betiyo ko didiya jaisi banane ke liye bol rahe the aur aaj wahi log is tarah ki batein kar rahe hain. ya samaj hai mummy. Yaha par sukh aur khusi mein sab aapke sath khade rahte hain aur jab kabhi dukh aur pareshani aati hai to yahi log aapse kinara kar lete hain. Sukh ke samay sabhi aapke sath rahenge lekin dukh ka samna aapko akele apne pariwar ke sath hi karna padega.

Raani ji- Mujhe apni bato se bargalane ki koshish mat karo Manisha. Mujhe is samay sahi galat kuchh bhi samajh nahi aa raha hai. ham log samaj mein rahte hain to hame samaj ke banaye niyamoin ke hisab se hi rahna hoga.

Manisha- (tapak se) Fir chahe wo niyam galat hi kyon na ho. hai na mummy. Ek baat bataiye mujhe mummy. Agar meri didiya ki jagah kisi mail officer ko is tarah se kidnap kiya gaya hota to kya tab bhi aapka samaz aise hi bolta??

Aise hi uspar kichad uchhalta?? Aise hi usko badnam karta?? Nahi maa tab aisa nahi hota. tab Aapka yahi samaj us Mail officer ke sath sahanubhuti dikhata. Fir Kyon Samaj ke banaye is dogle niyam ki wajah se meri didiya apni Naukri chhode?? Boliye.

Manisha ki baat sunkar Raani ji gussa ho gayi aur bolii.

Raani- Manisha. Abhi tum bachhi ho. tumhe in sabki samajh abhi nahi hai isliye tum apna munh band rakho. Mujhhe pata hai ki meri bachhi ke sath kuchh bhi galat nahi huwa hai lekin main kis kis ko jawab deti firu.

Manisha- To mat do jawab kisi ko mummy. Kaun kah raha hai aapko jawab dene ke liye ase samaj ke thekedaro ko. Lekin nahi aapko to apni beti ki Khushi se jyada padosiyo ki khusi pyaari hai.

Raani ji- (gusse mein) chup kar tu. bahut baat karne lagi hai tu. Mera mood abhi bahut kharab hai tu ja yaha se.

Raani ji ki baat sunkar Manisha kamre se bahar chali gayi. Uske jane ke baad Aanand ji ne kaha.

Aanand ji- Are bhaagyawaan. Manisha ki baato ke bare mein ek baar socho. Usne kuchh bhi to galat nahi kaha. Jo kuchh bhi huwa hai usme na hi hamari galti hai aur na hi Sarita ki koi galti hai. wo to bas imandari se apni duty kar rahi hai. agar is samay ham hi uski sthiti ko nahi samjhenge to fir doosra koi kaise samjhega??

Tabhi Manisha fir se kamre mein aati hai. uske hath mein paper ki kuchh cutting the. Jisme Sarita ke kuchh Inspiring Interviews the. Manisha ne wo cutting Raani ji ke hatho mein pakdate huwe kaha.

Manisha- In paper ko dekhiye mummy. Didiya bahut si ladkiyon ki Insperation hai. Jiske naksekadam par ladkiya chalna chahti hain. aapki wajase se wo sab bhi dar kar apne sapne se kadam pichhe kheech lengi.

Wo sab bhi yahi sochengi ki Agar hamare sath bhi aisa kuchh ho gaya to?? Aapko to apni beti par garv hona chahiye ki aapki beti itni bahadur hai ko log usase sikh lekar aage badhte hain.

Raani ji- Iski bahaduri ka koi medal nahi milne wala. Koi bhi ladka shadi karne ke liye iski bahaduri nahi dekhega. Balki use ek izzatdar ladki chahiye hogi.

Raani ji ki baat sunkar Manisha ko gussa aa gaya aur uske munh se kuchh aisa nikal gaya jo haal filhal ke liye usne socha nahi tha.

Manisha- Shadi Shadi Shadi. Main kab se sun rahi hoon ki didiya se shadi kaun karega didiya se shadi kaun karega. Aapko shadi ke alava aur kuchh dikhayi nahi de raha hai. aapko didiya ki Khushi dikhayi nahi de rahi hai.

to thik hai Aap didiya ki shadi ki fikar chhod dijiye. Main ek aise insan ko janti hoon jo didiya se bahut pyaar karta hai Jise aapke is samaz ki dakiyanusi soch aur dogle niyam se koi matlab nahi hai. Aap bilkul bhi chinta mat kariye mummy. Wo aapki beti ki dil se izzat karta hai aur usase shadi bhi kar lega wo.

Manisha ki baat sunkar Tino hairani se Manisha ka munh dekhne lage. Jab tak Manisha ko ehsas hota ki usne kya bol diya hai tab tak der ho chuki thi, Manisha ki baat sunkar Raani ji ne usase gusse se kaha.

Raani ji- yee…. Yee kya kaha tumne. Tumhe pata bhi hai ki tum kya bol rahi ho.

Manisha- Haan mummy mujhe pata hai ki main kya bol rahi hoon. Aur main jo bol rahi hoon wo sach hai.

Raani ji- Kya naam hai us ladke ka.

Manisha- Sorry mummy. Par main abhi us ladke ka naam nahi bata sakti.

Raani ji ne Manisha ki baat sunkar gusse se boli.

Raani ji- dekh Manisha ye Mazak ka wakt nahi hai. jo tu har samay Mazak karti rahti hai. kabhi to serious ho jaya kar. Agar ye tera Mazak hai to ye bilkul bhi achhi baat nahi hai.

Manisha- Mummy ye koi Mazak nahi hai aur na hi main Mazak ke mood me hi hoon. Aap kab se didiya ki shadi shadi karke pareshan ho rahi thi. maine to bas aapki pareshani door kar di. agar didiya ki shadi ki baat bich mein nahi aati to mere munh se ye baat kabhi bahar nahi aati.

Aapko hi didiya ki shadi ka bukhar Chadha tha kab se to main uske liye hi aapko ye bata diya hai. Ab aap didiya ki shadi ke pichhe mat padiye aur Aaram se unhe unki duty par focus karne dijiye.

Manisah ki baat sunkar Raani ji ko bahut Khushi hui. Unhone Manisha ka matha chumte huwe kaha.

Raani ji- Sach hai na ye sab.

Manisha- Solah aane sach hai.

Manisha ki baat sunkar Raani ji kamre se bahar chali gayi. Manisha bhi chaai ki tray lekar bahar chali gayi. jo ab tak ekdam Thandi ho gayi thi. Unke jane ke baad Aanand ji ne Sarita ka hath pakda aur kaha.

Aanand ji- Beta apni mummy ki baato ka bura mat man-na. unhe tumhari fikar rahti hai isliye unhone itna kuchh bol diya tumhe. Tum to janti hi ho ki wah chhoti chhoti baton par kaise pareshan ho jati hain. abhi tumhari halat dekhkar wo bahut dar gayi hain. wo nahi chahti ki tum par dobara aisi koi bhi musibat aaye isliye unhone tumhe itna kuchh suna diya.

Sarita- (dhire se) Papa. Mujhe mummy ki baat ka bilkul bhi bura nahi laga. Mujhe pata hai ki mummy bahut jaldi pareshan ho jati hain aur unka pareshan hona lajimi bhi hai. Jiski beti ke sath itni badi ghanta ghat gayi ho. uske maa-baap ke dil par kya bit-ti hai ye koi nahi jan sakta.

Par papa mujhe is samaz se shikayat hai, ye samaj kitni jaldi palti marta hai. Abhi kal tak Agal-bagal wale, paas pados wale mujhe kitna samman dete the. Kitne pyaa se baat karte the. Jab bhi main aati thi to kitna pyaar dular dete the, lekin sirf ek ghatna ke baad mere liye unka najariya hi badal gaya.

Jo mujhe bachpan se jante hain unke liye aaj main itni kharab ho gayi. Unhe mujh par tanik bhi bharosha nahi hai.

Ye log to apradhi se bhi jyada gunahgaar hain, wo sab to apradh karte hain isliye apradhi kahlate hain par ye log to apni soch ki wajah se apradhi hain. Achhe bhale aadmi ko bhi ye log tane mar mar ke maar dalte hain. Agar ye log is setuation mein mera utsah nahi badha sakte to kam se kam chup hi rahe.

Mujhe kisi ke kuchh bhi bolne se koi fark nahi padta papa, Kyonki maine kuchh galat nahi kiya hai, lekin mummy to chhoti si baat ko bhi apne dil se laga leti hain. ab main unhe kaise samjhaun ki main bilkul thik hoon aur apni duty karne ke liye poori tarah taiyar hoon, lekin mummy to meri naukari ke pichhe padi hui hain.

Aandnd Ji- Tum is bare mein sochkar bilkul bhi pareshan mat ho. tumhari maa ko tumhari bahut fikar hai isliye wo aisa bol rahi hai. main baat karunga tumhari mummy se wo jaroor samjhengi.

Tabhi Manisha khana lekar kamre mein aayi aur kaha.

Manisha- Ab bahut baat ho gayi. chaliye Nashta kar lijiye. Dobara garam karke layi hoon.

Manisha ne ye kahkar Nashta dono ke samne rakh diya aur kamre se bahar chali gayi. kamre se bahar jakar wo siddha chat par gayi aur Nishchal ko phone laga diya.

Udhar Nishchal ne Manisha ka phone dekha to phone utha liya aur bola.

Nishchal- Hello,

Manisha- Boss. Ek bahut badi gadbad ho gayi hai.

Nishchal- Kya huwa. Sarita thik to hai na.

Manisha- Haan di to thik hai, lekin Mummy di ko Naukari nahi karne dena chahti hain.

Uske baad Manisha ne Sari baat Nishchal ko bata di. Poori baat sun-ne ke baad Nishchal ne kaha.

Nishchal- To ab kya karna hai. tumne ye bolkar kuchh gadbad to nahi kar diya na.

Manisha- Nahi boss. Mujhe to aisa nahi lagta, kyonki papa aur mummy ke reaction se to lagta hai ki unhe is baat se koi aitraz nahi hai ki didiya ko koi pasand karta hai. Rahi baat didiya ke man mein aapke liye ehsas ki baat to main jaisa kahti hoon aap waisa karte jaiye. Bahut jald aapko didiya mil jayegi.

Nishchal- Thik hai jaisa tum kaho Sali sahiba. Lekin mujhe karna kya hoga.

Manisha- Kya baat hai abhi se Rishta jod liya. Chalo koi nahi. Sali to main hi banungi aapki. Ab meri baat dhyan se suniye.

Uske baad Nishchal aur Manisha ne kuchh der baat ki uske baad Manisha ne phone rakh diya aur niche aa gayi.

Udhar Manisha ke bahar jane ke baad Aanand ji ne nashta apne hatho se Sarita ko khilaya to use anayas hi Nishchal ki yaad aa gayi. Nishchal ne bhi us din hospital mein use aise hi khana khilaya tha.

Thodi der baad Nashta khatam huwa to sabhi aaram karne ke liye apne bistar per let gaye. Sarita jaise hi apni aankhe band karti uski aankho ke samne Nishchal ka chehra aa jata to wo turant hi apni aankhe khol leti. Ek do baar aisa hone par wo Jhunjhulakar uthakar baith gayi.

Baithne ke baad Sarita man mein sochne lagi.

Sarita- Ye kya ho raha hai mujhe?? Baat baat mujhe Sir ka chehra hi kyo dikhayi de raha hai. Kahi main uske bare mein kuchh jyada to nahi soch rahi hoon.

Sarita kuhhh der jabardasti aise hi uljhi rahi. Nishchal ke bare mein sochti rahi fir usne aankhe band kar li aur sone ki koshish karne lagi. Lekin uski aankho ke samne Fir se Nishchal ka chehra ghoomne laga. Wo uthkar apne bister par baith gayi aur badbadane lagi.

Sarita- Dekho to. Aannkh band kane ke baad Mujhe dikh rahe hain. lekin ek baar bhi phone karke mera hall chall nahi poochha. Bas mujhe bacha kar ghar lakar pahucha diya aur ho gaya .

mujhse to koi matlab hi nahi hai Aur waise bhi mujhse matlab kyon rakhenge Sir?? Matlab to us charu se hai main lagti hi kaun hoon unki jo mere bare mein sochenge wo.

Yahi sab sochte huwe Sarita ne apna phone utha liya aur Nishchall ko call lagane ka socha, lekin fir usne irada badal diya. Sarita kai baar aise hi sochti aur irada badal deti. Aakhir kar kafi der sochne ke baad Sarita ne Nishchal ka number dial kar hi diya. lekin ek ring jane ke baad Sarita ne jhat se phone kat diya. uske hath kanpne lage.

Sarita phone apne Sir par marti hui boli.

Sarita- Ohhh my god. Why I am behaving like a sily girl?? Jab baat hi karna tha to phone kyon cut kar diya?? Pata nahi mujhe kya ho gaya hai.

Abhi Sarita yahi bol rahi thi ki Nishchal ka phone aa gaya. Nishchal ka phone dekhkar uske dil ki dhadkan tez ho gayi. wo man hi man sochne lagi.

Sarita- Hey bhagwan kya ho raha hai mujhe. Aaj se pahle to aisa pahle kabhi nahi huwa tha. fir aaj aisa kyo ho raha hai.

Sarita ne phone uthaya to doosri or se Nishchal ki aawaz aayi.

Nishchal- Hello, hello, Are you okk?? Call kyon kiya tha??

Nishchal ki baat sunkar Sarita anjan bante huwe boli.

Sarita- phone. Maine kaha phone kiya tha?? mujhe laga ki aapko koi kaam hai isliye aapne mujhe phone kiya hai.

Sarita ki baat sunkar Nishchal ne apne man mein socha.

Nishchal- Ho sakta hai Chhote miya ne mujhe pareshan karne ke liye Sarita ke phone se mujhe phone kiya ho.

ye sochkar usne Sarita se kaha.

Nishchal- Tum thik to ho na.

Sarita- Hmmmm. Mujhe kya hoga??

Nishchal- Don't be smart Okkk. Time se medicine kha lena . Abhi main phone rakhta hoon. Important kaam kar raha hoon.

Isase pahle Sarita kuchh kahti. Nishchal ne phone rakh diya. Nishchal ki is harkat par Sarita ko bahut gussa aa gaya. Sarita ne phone gusse se Bed par patakte huwe kaha.

Sarita- Pata nahi apne aapko kya samajhte hain. main unse baat karna chahti thi, lekin nahi aisa lagta hai jaise maine phone karke koi bahut bad gunah kar diya hai. Akadu kahi ke. Pata nahi kitni akad hai. Ek ladki samne se phone kar rahi hai lekin baat karna to door. Akad dikha rahe hain. Huuuunnn.

Abhi Sarita apne aapse hi badbada rahi thi ki Tabhi Manisha kamre mein aa gayi.

Isken Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..

Aab kiya hi kahu rani ji ko sirf samaj ki bati se lena dena hai. Dusra unke bare me kaun se vichar rakhta hai. Dusre lo unke kiye gaye kam se kush hai ki nehi hai. In bato par dhyaan jayada deti hai. Kahi na kahi rani ji jaise log hi ladkio ko aage badne so rokati hai. Sarita apne mehant aur kam se kaiyo ko rol modal hai par rani ji ko iss se koyi lene dena nehi hai. Usne to sirf ye dekhna hai unki beti ki shadi kaise ho.

Shadi shadi sala ye ghar ghar ki baat hai. Shaadi na hokar koyi gutti ho gayi jisko bina piye life ki ghadi chal hi na sakti. Lower aur middle class walo ki soch me sab se bada kaam agar kuch hai to vo hai shadi kyuki kisi ne agar kisi baat ka batangad bana diya phir to bhai ladka ladki dhundhute dhundhte chaple ghis jayega.

Adbhut atulniya lekhan kaushal:clapclap::clapclap::clapclap:
 
Member
1,201
3,267
143
UPDATE- 102

naukari chhodne ke baad sarita ne apne aapko padhaai mein jhonk diyaa. Usne apne aapko puri tarah se sabhi se kaat liya tha. Wo pahli baar se kahin jyada mehnat kar rahi thi. Ab tak abhishek bhi jail se chhutkar ghar aa chukaa thaa.

samay bitne ke sath hi sarita ki prelims, main aur interview ho gaya tha jo achha gaya tha.

Lagbhag 11 Mahine baad

Sarita apne ghar mein laptop par apni najarein gadaye baithi thi. Aaj Uskka Civil Services ke exam ka result aane wala tha. Uska man andar hi andar ghabra raha tha. Wo Manisha se iske bare mein kai baar baat kar chuki thi. lekin Sarita ki bechaini badhti ja rahi thi.

Tabhi uske mobile ki screen par ek naam show huwa. Jo Nishchal ka tha. Usne phone uthaya to nishchal ne kaha.

Nishchal- ghabrao mat, Mujhe poora wishwash hai ki hamara sapna jaroor poora hoga.

Sarita- Aur agar nahi huwa to please mujhe maaf kar dena.

Nishchal- Fir se tumhara rona shuru ho gaya. Is baar nahi huwa to agli baar fir se try karna. Agli baar nahi huwa to uske Agli baar fir try karna aur vishwas karo Tumhare aim ke liye main bhi apni naukari chhod dunga.

Sarita- Haan fir to dono road par baithkar katora lekar bheekh mangenge. Hai na??

Nishchal- (hanste huwe) Sahi kaha. Isase better to koi job ho hi nahi sakti. IAS ki salary se jyada kamai hogi mahine mein. Sath mein tumhare sath kaam karne mein maza bhi bahut aayega.

Sarita uski baat sunkar hans di to Nishchal ne kaha.

Nishchal- Ab thik hai. tum aise hi hamesha hansti muskurati hui hi achhi lagti ho.

Sarita- Aap aa rahe hain na mujhse milne ke liye.

Nishchal- Abhi clear nahi bata sakta.

Sarita- (gusse mein) 1.5 sal se jyada ho chuka hai aapse mile huwe. apka to kuchh bhi clear nahi rahta.

Nishchal- Promiss yaad hai ya bhool gayi.

Sarita- Hmmmm. Yaad hai tabhi to kuchh bolti nahi hoon aapse.

Nishchal- Achha Ab khush ho jao.

Sarita- Wo kisliye??

Nishchal- Kyon ki main aa raha hoon tumse milne. Result chahe jo bhi ho exam ka tum udas mat hona.

Sarita- (khush hokar) Kyaa?? Sach mein aap aa rahe hain mujhse milne.

Nishchal- haan meri jaan main aa raha hoon.. mujhe lagta hai ki ab tum thik ho to main phone rakh raha hoon.

Sarita- Hmmm. Main intezaar kar rahi hoon aapka.

Itna kahkar Sarita ne phone rakh diya aur kisi soch mein gum ho gayi.

Sarita- (man mein) Agar aaj ye exam clear na huwa to main Sir ko kya munh dikhaungi. Mujhse jyada to unhone iske liye tapasya ki hai. Subah jagne se lekar der raat tak wah mere sath hi rahe hain. Notes banane se lekar interview ki taiyar karwane mein wo hamesha mere sath hi rahe hain.

Agar kisi topic par ulajhkar main pareshan ho jati thi to wo kitni aasani se us topic ko solve karke mujhe samjhate the. Mujhse jyada to unhone mehnat ki hai is exam ki. Hey bhagwan Sir ki mehnat ko bekar mat hone dena. Is bich wo mere guru. Mere margdarshak aur ek achhe aur sachhe dost ke roop mein the.

Wo to bhala ho phone aur video calling ka. Jiski wajah se main kam se kam unka chehra to dekh pa rahi thi. nahi to unhone promiss karke mujhe fansa hi diya tha. Pichhle 3 Mahine se unka transfer Pratapgadh (Allahabad ke bagal wala zila) mein huwa hai. chahe to wo mujhse aakar mil sakte hain 40 kilomiter door hi to rahte hain.

Lekin nahi apne aage to kisi ki sun-ni hi nahi hai. kahte hain ki agar main unse mil lungi to fir kai din to unke bare mein hi sochungi. Fir meri padhai disturb hogi. Isase achha jab exam clear kar lena to fir main poora ka poora tumhara.

Had hai yaar aisa bhi koi karta hai kya?? Preperation se pahle hi ye wada le liya tha ki jab tak result nahi aa jata tab tak ham log nahi milenge. Warna isase meri padhai mein effect padega. Aaj agar maine ye exam clear kar liya to ham dono ki mehnat safal ho jayegi.

Sarita yahi sab soch rahi thi ki tabhi Manisha aur Abhishek uske paas aaye. Manisha ne use jhakjhorte huwe kaha.

Manisha- DidiYA kis soch mein gum ho. boss ka phone aaya tha. Result aa gaya hai. jaldi se check karo..

Sarita ne Manisha ko dekha aur ghabrate huwe kaha.

Sarita- Nahi. Mujhse ye nahi hoga. Mujhe bahut dar lag raha hai tum hi check karo na.

Manisha- Hato main karti hoon.

Manisha result check karne lagi. Tabhi Sarita ka phone bajne laga. Lekin Sarita itni ghabrayi hui thi ki usne call nahi uthaya. Sarita ka phone band hone ke baad Manisha ka phone bajne laga. Manisha ne phone uthana chaha to Sarita ne kaha.

Sarita- phone baad mein utha lena. Pahle result check karo.

Manisha- Check to kar rahi hoon didiya, lekin sarver hi jam hai.

Abhi Manisha ne itna hi kaha tha ki Raani ji kamre aayi aur kaha.

Raani ji- Dekho. Savita bitiya ka phone aa raha hai. Result aa gaya kya??

Manisha- Hmmmm
.

Manisha result dekh rahi thi. screen par dekhne ke baad Manisha ne Sarita ki taraf dekhte huwe kaha.

Manisha- Didiya is baar tumhara…….

Manisha ne ye shabdd udase swar mein kahe the jise sunkar Sarita ko laga ki uska selection nahi huwa hai to uski aankho mein aanshu aa gaye. Ye dekhkar Manisha ne kaha.

Manisha- Are pagal tum ro kyon rahi ho?? Tumhari all India mein 22nd rank aayi hai.

Sarita- (jor se chillate huwe) Sachhi.

Manisha ne use gale lagate huwe kaha.

Manisha- Muchhiiii
.

Raani ji ne Khushi se Sarita ka matha chum liya. Aanand ji ne bhi Sarita ko gale lag aliya. Sarita khushi se jhoomte huwe Abhishek ke gale lag gayi aur boli.

Sarita- Main paas ho gayi bhaiya. maine jo chaha tha wo kar dikhaya.

Abhishek- Haan. Sarita . Main bahut khush hoon tumhare liye. Mujhe pahle se hi pataa tha ki tum jarur apne goal ko pa logi.

Sarita ke paas hone ki khabar poore mohalle mein jangal mein aag ki tarah fail gayi. Sarita ko badhayi dene walon ka jamwada lag gaya. Rishtedaro ke bhi lagatar phone aa rahe the. Sabhi Sarita aur uske gharwalo ko badhayi de rahe the.

News channel wale bhi interview lene ke liye aa gaye. Is bich Sarita poori tarah busy thi. use bilkul bhi samay nahi mil raha tha ki wo Nishchal se baat kar paye. Wah sabke bich mein ghiri hui thi. use tanik bhi achha nahi lag raha tha ki wO yahan par aur baithe, uska man Nishchal mein hi laga huwa tha.

Sarita ne pahle hi prayash mein IAS ki pariksha paas ki thi to uski charcha hona lajimi bhi thi. Aaj poore mohalle mein sabki juban par Sarita ka aur uske mummy papa ka hi naam tha. Apni bahan ki kamyabi se Abhishek bhi bahut khush tha.

Jab Sarita thoda free hui to kamre ki taraf jane lagi. Lekin Tabhi Raani ji use lekar Paas wale mandir mein chali gayi. uske naam se pooja ki aur thodi dan dakshina kar aayi. Sham hote hote Sarita bilkul thak chuki thi. Mandir se lautkar aane ke baad Sarita ne Manisha se kaha.

Sarita- Ab ek ghante tak mujhe koi bhi disturb na kar paye. Is baat ka dhyan rakhna.

Manisha- Thik hai didiya. Tum jao aur aaram kar lo thoda.

Wah apne kamre mein gayi to uski najar table mein rakhe phone par gayi. Usne apna phone dekha to usmein 75 miss call pade huwe the.

Sarita ne call check ki to usme Jawed, Mohit, Ranjana, Janhavi, Vikas, Amit aur Kaushal ke bahut sare miss calls the. Sath mein kuchh rishtedaro ke bhi phone the. Unhi mein 3 Miss call nishchal ki bhi thi.

Sarita ne turant Nishchal ko phone kiya to Nishhal ne phone nahi uthaya. Sarita ne apne man mein socha.

Sarita- Haan mujhe pata hai ki aap mujhse gussa hain, warna aap ek baar mein hi meri call utha lete, par main kya karun. Abhi to jakar sabse fursat mili hai.

Sarita ne Sorry ka massage likhkar use bhej diya. uske baad Sarita ne bari bari apne purane collegue se baat ki. Sabhi Sarita ki is achievement se bahut khush the. Sabhi ne Sarita ko badhayi di.

Sabse baat karne ke baad Sarita aaram karne lagi. Lagbhag 1 ghante baad Sarita ko Manisha ne uthaya aur kaha.

Manisha- Didiya chat par jao.

Manisha ne Sarita ki baat sunkar deewar par lagi ghadi ki taraf dekha aur kaha.

Sarita- Are abhi kyon jaun. Abhi to raat ke 8.30 hi baje hain.

Manisha- Haan pata hai mujhe. Ab jyada amma mat bano meri aur chaat par jao.

Manisha ke kahne par jab Sarita chaat par gayi to use waha par kisi ki parchhayi dikhi. Jise dekhkar Sarita ne kaha.

Sarita- kaun hai waha par??

Sarita ki baat sunkar jab wo parchhayi uski taraf ghumi to chand ki halki halki Roshni mein use Nishchal ka chehra najar aaya to wo daukar Nishchal ke sine se lag gayi. dono kuchh der aise hi khade rahe tabhi Nishchal ko Sarita ke sisakne ki aawaz sunayi padi. Nishchal ne kaha.

Nishchal- Kya huwa tumhe. Tum ro kyon rahi ho.

Sarita- I Am sorry. Main aapki call nahi uthaa payi. Aap mujhse gussa to nahi hain na.

Nishchal ne uske sir par hanth ferte huwe kaha.

Nishchal- Tumne aisa soch bhi kaise liya ki main apni lady don se kabhi gussa sakta hoon.

Itna kahkar Nishchal ne use apne se alag kiya aur uska chehra apne dono hatho mein liya aur uske mathe ko chum liya. Sarita sihar gayi.

Sarita ko ummeed nahi thi ki Nishchal usase aise milenga. Nishchal ne Sarita ka hath pakda aur use chat ke ek kinare par le gaya aur bagal mein ek swich onn kar diya.

JIisase waha par rang birangi dher sari lights jal gayi thi. Wahi par ek chhote se table par bahut hi pyara sa chhota sa cack rakha tha. Sarita uski taraf dekhne lagi to usne kaha.

Nishchal- Chalo tumhari khushi selebrate karte hain.

Sarita- (Khushi se) Ye Sab aapne kiya.

Nishchal- Nahi. Ye sab chhote miya aur tumhare bhaai ka kamal hai. unka kahna tha ki jab itne din baad ham dono mil rahe hain to kuchh special hona chahiye.

Sarita- (muskurate huwe) Aap sab na bilkul pagal hain.

Nishchal- hhhhmmmm. Aur tum ham sab paglon ki jaan.

Sarita Nishchal ki baat sunkar uske sine se lag gayi. Kuchh der baad Nishchal ne uska hath pakadkar use apne se alag kiya aur use table ke paas le aaya aur bola.

Nishchal- Chalo ab cack kato.

Sarita- cack main nahi aap kitenge, kyonki meri safalta ke pichhe aapka hath hai. mujhse jyada mehnat to aapne ki hain mujhe exam clear karwane ke liye. Ye sab aapke karan hi possible huwa hai.

Nishchal- Main to bas ek jariya tha Sarita mehnat to tumhari apni thi.. Acchha Ab jaldi se cack cut karo. Tumhare liye mere paas bahut bada surprise hain.

Sarita- Kya surprise hai.

Nishchal- Wo to cack katne ke baad hi pata chalega.

Sarita- Chaliye sath mein cack kat-te hain.

Nishchal aur Sarita ne sath mein cack kata. Fir dono ne ek doosre ko cack khilaya. Fir dono wahi chat ki deewar se take lagakar baith gaye. Un dono ke bich bas aasman mein chamakta chand tha aur dono ke bich khamoshi thi. dono ek doosre ki aankho mein khoye huwe the.

Sarita ne is khamoshi ko todte huwe kaha.

Sarita- Kya surprise tha ab bataiye??

Nishchal- Pahle apni aankhe band karo.

Sarita- Par aankhein kyon.

Nishchal- Tum sawal bahut karti ho. apni aankhein to band karo.

Sarita ne apni aankhein band kar li. Nishchal ne apna mobile nikala, mobile mein kuchh kiya aur Sarita se kaha.

Nishchal- Ab apni aankhein kholo.

Sarita ne apni aankhein kholi to uske samne mobile ki screen par kuchh dikh raha tha. Nishchal ne kaha.

Nishchal- Ab ise padho.

Sarita ne jab use padha to uski Khushi ka thikana nahi raha. Wo Khushi ke mare jor se cheekhne wali thi par Nishchal ne turant uske munh par apna hath rakh diya aur kaha.

Nishchal- Are maine chillane ke liye thode hi kaha tha. padhne ke liye kaha tha.

Sarita ne apne munh se Nishchal ka hath hataya aur uske gale lag gayi. Sarita ki aankho mein Khushi ke aanshu the. Nishchal ne usase pochha.

Nishchal- to kaisa laga mera surprise.

Sarita- ye meri zindagi ka sabse bada surprise hai. lekin aapne mujhe bataya kyon nahi ki aapne bhi ye exam diya tha.

Nishchal- main kaise batata tumhe. Main to shyor bhi nahi tha ki main paas bhi ho paunga, lekin luckly 320 rank aa hi gayi.

Sarita- Lekin aapne kabhi bataya nahi ki aap ka bhi aim IAS ban-na hai.

Nishchal- Ye mera aim nahi tha, lekin tumhari madad karte karte dimag mein khyal aaya ki main bhi ye exam de hi deta hoon. Aur dekho mere luck ne mera sath diya aur main bhi paas ho gaya.

Sarita- Aaj main sach mein bahut khush hoon aur is Khushi ki wajah aap hain.

Nishchal ne uska hath apne hath mein lete huwe kaha.

Nishchal- main chahta hoon ki ta-umar main tumhein aise hi khush dekhun.

Nishchal ki baat sunkar Sarita sharma gayi aur Nishchal ki baho mein simat gayi.

Dono kuchh der aise hi khade rahe tabhi Sarita ka phone bajne laga. Phone Manisha ka tha. Sarita ne phone uthaya to Manisha ne kaha.

Manisha- Didiya Niche aao.

Sarita- Hmmmmmmm. Per Sir bhi to hain sath mein.

Manisha- Pahle tum aao. Main baad mein boss ka intezam karti hoon.

Sarita ne bechargi se Nishchl ki taraf dekha. Wah uski or badha aur uske mathe ko chumte huwe bola.

Nishchal- Tum jao Ab ek hafte baad milte hain.

Sarita ne apni apni bhauhein uthate huwe ishare se poochha.

Sarita- Ek hafte baad kyon??

Nishchal- Ufffff. Tum sawal bahut karti ho.

Sarita- Abhi se hi pareshan ho gaye. Aap to sari zindagi sath rahne ki baat karte hain.

Nishchal- (shararat se) Agar ab tum chup nahi hui na to main tumhare hontho ko kiss kar lunga.

Sarita ne Nishchal ki baat sunkar jhat se apne hontho par apna hath rakh diya. Nishchal uski is harkat par muskura diya. Sarita turant niche chali gayi.

Sarita ke aane ke baad jis tarah Se Manisha Nishchal ko lekar chat par chupke se gayi thi usi tarah Nishchal ko chupke se waha se bahar le aayi. Nishchal apne ghar chala gaya.

Nishchal ne apne ghar mein Sarita aur apne rishte ke bare mein bata diya. Naina ji aur Mahendra ji ko Sarita pahale se pasand thi. kahi na kahi unke man mein bhi yahi khayal chal raha tha, Sarita aur Manisha ko Unhone Savi ki shadi mein hi achhe se parakh liya tha. Isliye unhe is Rishte ke bare mein koi aapatti nahi hui.

Naina ji aur Mahendra ji ne Iske bare mein Raghav aur Savita se bhi baat ki. Dono ko pahle hi Nishchal aur Sarita ke bare mein pata tha to unhe bahut Khushi hui aur unhone is rishte par apni muhar laga di.

Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
Mast fadu update tha.
IAS ye sab process bhot lamba jayega. aur abhi tak dono ke ghar wale shadi ke liye bat tak nahi kiya :angsad: jane kab shadi hogi jane kabhi suhagrat hogi . :cry2:
 
Will Change With Time
Moderator
8,521
16,933
143
UPDATE- 97

Abhi Sarita Apnea apse hi badbada Rahi thi ki Tabhi Manisha kamre mein aa gayi. Usne Sarita ko badbadate huwe dekha to wo boli.

Manisha- Kiske upar apna gussa nikal Rahi ho didiya.

Sarita Manisha ko dekhkar chaunk gayi aur boli.

Sarita- Tum kab aayi.

Manisha- (muskurate huwe) Tabhi aayi. Jab tum apni baton ki teer se kisi ko ghayal kar rahi thi.

Sarita- hahahaha. Very funny. Aisa kuchh bhi nahi tha. main to bas aise hi…

Sarita ki baat sunkar Manisha ne bister par baithte huwe usase kaha.

Manisha- Achha ye sab chhodo didiya. Mujhe aapse ek bahut jaroori baat karni thi.

Sarita- Kaun si jaroori baat.

Manisha- Ye batao ki tumhe boss kaise lagte hain??

Sarita- Kaun boss??

Manisha- Are tumhare DSP Sahab aur kaun.

Ek to Sarita Nishchal par pahle se hi gussa thi. Manisha ki baat ne aag mein ghee ka kaam kiya. Sarita ka gussa fat pada aur wo boli.

Sarita- kaise lagte hain kaise Ab kya bataun tumhe main. Wo insan hi nahi hain. shaitan hain shaitan. Ek number ke khadus hain. Abhi kuchh der pahle phone kiya tha maine. Baat karne ki tameez nahi hai unhe. Sochte hain bas har wakt unki hi chalegi. Hitlar kahi ke. Topumal kahi ke. Agar ek top mujhe mil jaye to sabse pahle main unhi ko uda doon…..

Sarita bole ja rahi thi. wo rukne ka naam hi nahi le rahi thi. Manisha ne Sarita ka hath pakadkar use rokte huwe kaha.

Manisha- (hanskar) Shant ho jao kali maai. Shant. Maine to bas itna poochha tha ki wah aapko kaise lagte hain aur aap ho ki unhe top se udane par tuli hui ho.

Sarita ko jab is baat ka ehsas huwa ki wo gusse mein kuchh jyada hi bol gayi hai to wo apni galti chhupane ke liye Manisha se poochaa.

Sarita- Waise tum kyon puchh rahi thi ye mujhse.??

Sarita ki baat sunkar Manisha sharmane lagi to Sarita ne kaha.

Sarita- Bata na. kyon puch rahi thi.

Manisha- Setting karni thi.

Manisha ki baat sunkar Sarita ne apne aankhe badi karke use ghoorte huwe kaha.

Sarita- Setting. Kiski Setting. Kaisei Settting??

Manisha- main tumse isliye puchh rahi thi didiya ki agar tumhare man mein unke liye kuchh ho to main aage na badhu. Lekin tumse to ye clear ho hi gaya ki tumhare man mein unke liye kuchh nahi hai. isliye main hi try maar leti hoon. Aakhir itna handsom aur Well setuld ladka aakhir kahan milega. Waise bhi isme koi burayi bhi nahi hai.

Sarita- (uchhalte huwe) Kyaa?? Kyaa kaha?? Tum pagal wagal to nahi ho gayi ho. Padhne-likhne ko kah do to naani yaad aa jati hai, lekin aise ulte sidhe kaam karne ke liye bahut dimag chalta hai tumhara.

Manisha- To isase tumhe kya problem hai didiya??. Tum to unhe pasand karti nahi ho to kam se kam mujhe to pasand karne do. Ho sakta hai mera hi bhala ho jaye.

Sarita- (chidhkar) Koi jaroorat nahi hai tumhe pasand karne ki. Bahut se log hain jo unhe pasand karte hain. tum rahne hi do.

Sarita ki baat sunkar Manisha ne Apne man mein kaha.

Manisha- Hhhmmmmmmm bahut se logo ka pata nahin lekin tum to ho hi. Abhi tumhe pata nahi hai par tumhara ab boss ke bina man nahi lagta. Jab se tum yaha aayi ho tab se main dekh rahi hoon ki tum bahut bechain ho didiya.

Mujhe nahi pata ki is bechaini ka karan boss hain ya kuchh aur, lekin ab main unhe tumse aur door jane nahhhi doongi. Tumhe unki halat ka andaza nahi hai par main janti hoon ki tumhare gayab ho jane ki baat sunkar unpar kya biti hogi. Bahut pyaar karte hain wo tumse

Sarita me Manisha ko sochte huwe dekha to kaha.

Sarita- Manisha. Ab Jyada dimag mat laga in faltu ki cheejon mein. Apna dimag padhai mein laga jo aage chalkar tujhe kaam dega.

Manisha- Tumhe kya dikkat hai didiya. Agar main unke bare mein sochu. Agar main unse pyaar karun to.

Sarita- (jhallate huwe) Kisi aur se pyaar karte hain wo Manisha.

Manisha- Kya baat kar rahi ho didiya. Tumhe pata hai iske bare mein.

Manisha ko laga ki shayad Sarita ko pata hai ki Nishchal usase pyaar karta hai. isliye Manisha ne khush hote huwe ye poochha to Sarita ne kaha.

Sarita- Haan. Mujhe pata hai ki Sir Charu se pyaar karte hain.

Manisha- (chaukte huwe) Kya Chaaru se?? kaun charu.

Sarita- Wo Anant ji ki bahan Charu.

Sarita ki baat sunkar Manisha Muskura uthi aur boli.

Manisha- Didiya.. Tumhe jaroor koi galta fahmi hui hai. Ho sakta hai charu Boss ko pasand karti ho, lekin boss use pasand nahi karte hain.

Sarita- Mujhe koi galatfahmi nahi hui hai Manisha. Maine khud apni aankho se dekha hai aur kano se suna hai.

Fir Sarita Manisha ko wo sab bate bata deti hai jiske karan use lagta tha ki Nishchal Charu se pyaar karta hai. jise sun-ne ke baad Manisha ne kaha.

Manisha- May be didiya. Aisa ho bhi sakta hai. (apne man mein) Boss bhale hi aisa bolte ho didiya, lekin unke dil mein sirf tum hi basi ho. (Sarita se) Achha main kuchh der mein aati hoon.

Itna kahkar Manisha Sarita ke kamre se bahar chali gayi aur usne Nishchal ko phone lagakar Abhi hui sari baat batayi to Nishchal ne hanste huwe kaha.

Nishchal- Yaar Tumhari bahan ne to pata nahi kya kya soch liya mere bare mein, lekin usne ek baar bhi ye nahi socha ki ho sakta hai ye sari batein uske liye hi ho. tumhari bahan bhi na sach mein kamal ki hai.

Manisha- Isliye ab aap aur bhi jyada der mat kijiye. Jald se jald didiya ko propose kar dijiye. Kahi aisa na ho ki bahut der ho jaye.

Nishchal- Main kya karun yaar. Main to bahut sochta hoon ki usko apne dil ki baat kah doon, lekin jab bhi main uske samne jata hoon to meri bolti hi band ho jati hai. mujhe dar lagne lagta hai ki pata nahi meri baat sunkar Sarita kaise react karegi. Isliye uske samne mere munh se kuchh nikalta hi nahi.

Manisha- To aap ek kaam kariye. Aaine ke samne khade hokar thoda practice kar lijiye. Jisase didiya ke samne aapko aasani hogi. Baki main sab sambhal lungi.

Nishchal- (Hansne huwe) Wo kaise??

Manisha- Uske liye aapko yahan aana padega.

Nishchal- Achha. Abhi to thoda case mein uljha huwa hoon. Jaise bhi hoga main tumhe bata dunga.

Manisha- Okkk boss. Thoda jaldi kariyega. I am so excited.

Nishchal- Chhote miya. Thank you.

Manisha- Anything for you Jeeja ji.

Manisha ke munh se jeeja ji sunkar Nishchal sharma gaya aur phone cut kar diya. Phone rakhne ke baad Manisha ne kaha.

Manisha- Now its time to start the Next Step.

Ye bolkar Manisha koodti hui Sarita ke kamre ki taraf chal padi. jab Manisha Sarita ke kamre mein aayi to Sarita apne sir par hath rakhe huwe baithi thi aur kisi soch mein gum thi. Sarita ko pata nahi chala ki kab Manisha kamre mein aa gayi. Sarita ko aise soch mein baithe huwe dekhkar Manisha uske kan ke paas jor se jakar chillayi.

Manisha- Didiya.

Manisha ki aawaj sunkar Sarita Dar gayi aur wo jor se chillayi.

Sarita- Aaaahhhhhhh. Manishaaaaaaa..

Dono ke chillane ki aawaz sunkar Rani ji bhagti hui uske kamre mein aayi to unhone dekha ki Sarita aur Manisha dono ek doosre ko takiye se maar rahi hain. Jise dekhkar Rani ji ne kaha.

Rani ji- Tum dono yahan par masti kar rahi ho aur mujhe laga ki pata nahi kya ho gaya. Cheekh sunkar to meri jaan hi nikal gayi thi.

Raani ji ki aawaz sunkar Manisha bister se uthkar Unke pichhe jakar khadi ho gayi aur unhe huge karte huwe boli.

Manisha- Dekho na mumma. Ab didiya thik ho gayi hai to isi tarah meri dhunaai karegi. Is ghar mein to meri koi value hi nahi hai. Har koii mujhe siddha samajhkar kootkar chalta banta hai.

Manisha ki baat sunkar Turant Sarita ne kaha.

Sarita- Maa. Aap iski baat mat sun-na. ye utni bhi sidhi nahi hai jitni yah sabko dikati hai. shaitan ki nani hai ye.

Raani ji- Hmmmm mujhe pata hai ki kaun kaisa hai. is baar bhi poori galti iski hi hogi.

Raani ji ki baat sunkar Manisha aakar unke samne khadi ho gayi aur boli.

Manisha- Mummaa
.

Manisha ne abhi itna hi kaha tha ki Raani ji ne uska kaan pakadkar use marod diya to Manisha dard se chillane lagi.

Manisha- aaaahhhhhh. Mummmaaa.

Raani ji- Ab chupchap se rahna, Mujhe bilkul bhi shor sharaba nahi chahiye.

Itna kahkar Raani ji kamre se bahar chali gayi. Manisha ek kone mein chupchap baith gayi. Manisha 5 minute tak chupchap aise hi baithi rahi. Sarita ko bahut kharab laga ki uski wajah se Manisha ko dant padi to wo Manisha ke paas jakar boli.

Sarita- Sorry….. Par tumne achanak se kiya to main dar gayi thi.

Sarita ki baat sunkar Manisha ne kuchh nahi kaha aur doosri taraf munh karke baith gayi to Sarita ne kaha.

Sarita- Ohhhh Sorryy na. Itni der chup chap baithna tumhe shoot nahi karta. Ab gussa thook bhi do.

Sarita ki baat sunkar Manisha ne man hi man kaha

Manisha- Abhi thodi der aur mujhe manao tab jakar main baat karungi.

Sarita ne jab dekha ki Manisha kuchh nahi bol rahi hai to wo apne bed par wapas jane lagi. To Manisha ne turant uska hath pakad liya aur kaha.

Manisha- Waise aap soch kya rahi thi.

Sarita ko Manisha se is prakar ke prashn ki ummeed nahi thi ki Manisha aisa kuchh puchh legi. Isliye uske puchhne se Sarita hadbada gayi aur boli.

Sarita- Kuuu….. kuchh bhi to nahi.

Itna kahkar Sarita bed par baith gayi to Manisha bhi aakar uske paas baith gayi aur kaha.

Manisha- Waise didiya tumne ek baat to bilkul sahi kahi thi.

Sarita- Kaun si baat.

Manisha- Yahi ki Boss aur Charu relationship mein hain.

Manisha ki baat sunkar Sarita hairaan rah gayi aur boli.

Sarita- Tumhe kaise pata.

Manisha- Tumhi ne to bataya tha.

Sarita- Par tumne to kaha tha ki ho sakta hai ki ye jhooth bhi ho.

Manisha- Maine aisa kab kaha??? Waise achha hi hua ki mujhe pata chal gaya. Varna main phaltu hi unke pichhe padi rahti aur apna samay barbaad karti.

Sarita- Waise tum itni shyor kaise ho.

Manisha- Maine boss se poochha hai abhi.

Sarita- (jor se) Kuyaa?? Tumne Sir……… se baat ki is bare mein.

Manisha- hmmmm. To isme itna chaukne wali kaun si baat hai??

Sarita- (badbadate huwe) Achha. Jab maine call kiya tha to hitlar ko bahut important kaam tha.

Manisha- didiya. Ye to sab importance ki baat hoti hai ki kaun unke liye kitna matter karta hai. Agar aap unke liye matter karti to wo jaroor aapse baat karte.

Manisha ki baat sunkar Sarita ka munh ban gaya. Manisha se Sarita se kaha.

Manisha- Achha Ek baat sach sach batana didiya.

Sarita- Ab kya hai.

Manisha- Maan lo ki agar boss Charu se pyaar na karte hote to.

Sarita- Are wo to pyaar karte hain na Chaaru se.

Manisha- Are didiya. Maine kaha ki maan lo ki agar boss charu se pyaar na karte hote to…..

Sarita- To kyaa Manisha.

Manisha- main ye kah rahi thi ki agar boss Charu se pyaar na kar rahe hote aur wo aapko propose kar dete to aap kya karti.

Sarita- (hairani se) Kya…. Ye kya baat kar rahi ho tum Manisha.

Manisha- maine to bas ek sawal poochha hai aapse. Isme itna hairan kyon ho rahi ho didiya aap.

Sarita- tum plz abhi yaha se jao. Mujhe thodi der aaram karna hai.

Manisha- Tum aaram karo na. maine kaha aapko jagne ke liye kaha hai.

Sarita- Bahas mat karo mujhse tum. Jao yaha se.

Manisha muskurate huwe kamre se bahar nikal gayi. bahar nikalte huwe wo apne aapse boli.

Manisha- Ab tum meri baat ko raat bhar soch soch kar pareshan hoti rahogi. Ab tumhe jalan mahsoos hogi. Mera plaan ka pahla charan poora ho gaya hai. Dekhti hoon iska kya nateeza nikalta hai.

Udhar Manisha ke jane ke baad Sarita sone ki koshish kar rahi thi lekin baar baar Manisha ki baate uske dimag mein ghoom rahi thi. Abhi tak to use Nishchal hi aankh band karne par dikhayi padta tha, lekin ab Manisha ki baat sunkar use aankh band karne par chaaru aur nishchal sath mein dikhayi padne lage. To wo uthkar apne bister par baith gayi.

Sarita- (man mein) is aadmi ne to mere dilo dimag mein kohram macha kar rakha huwa hai. ye kya kam tha jo ab apni masuka ke sath mujhe darshan dene chale aate hain.

Isi tarah 7-8 din aur beet jate hain. In 7-8 dinon mein Sarita lagbhag thik ho chuki thi. hontho ke ek taraf abhi cut ka Nishan thoda bahut maujood tha aur ek gaal par kuchh kalapan bhi tha, lekin ab wo duty join karne ke liye ekdam taiyar thi.

In 7-8 dino mein ek bhi din aisa nahi gujra jab sArita ne Nishcahl ko yaad na kiya ho. Sarita ko ab apni duty par wapas jana tha. jaha par uska samna Nishchal se hone wala tha.

Udhar Nishchal ne is bich case ke sambandh mein poori khojbin kar li thi. Raawat se poochtachh karke Police ne Raghu ko bhi dhoondh nikala tha. jise Rawat ne chhupa rakha tha. Raghu aur Bachha Singh ko jab ye pata chala ki Rawat aur DIG dono ne un dono bhaaiyo se dhokha kiya hai to unhe bahut gussa aaya.

Kadi suraksha ke bich RAWAT, NETA aur DIG ka ilaz karaya gaya aur fir kadi surakhsha ke bich unhe Adalat mein pesh kiya gaya. Raghu aur Bachha Singh ne Rawat, Neta aur DIG ke dhokhe ke karan Sarkari gawah ban-na hi behtar samjha.

Adalat mein Rawat, Neta aur DIG ke khilaf Bachha Singh aur Raghu ne gawahi di. Tino apne aapko begunah batate rahe.

Unke Wakil ne bhi unhe begunah sabit karne ki bharpoor koshish ki. To Nishchal ne video aur Audio subut Adalat mein pesh kiye, Micro camare Nishchal, Jawed aur Mohit ne Sarita ke paas jate samay apne pant ki jeb mein chhupakar le gaye the.

Tino ke wakil ne video aur Audio se chhedkhani karne ka aarop lagaya to Adalat ne Agle din ka bolkar court barkhast kar di aur Use janch ke liye forensic lab bhej diya gaya jaha se ye proff ho gaya ki Audio aur Video se koi chhedchaad nahi ki gayi hai aur wo asali hi hain.

Jiske binah par Neta, Rawat aur DIG ko Umar kaid ki saza sunayi gayi. Sath mein Rawat, Neta aur DIG ke case ko seriously lete huwe Adalat ne Tino ko alag sel mein kadi suraksha ke bich Rakhne aa Aadesh diya.

Sarkari gawah ban jane ke karan Raghu aur Bachha Singh ko 6-6 sal ki saza sunayi gayi. Abhishek ko bhi usi samay Adalat mein pesh kiya gaya. Nishchal ke bayan par aur Raghu singh, Bachha Singh, Rawat aur Neta ki pakadwane mein yogdan dene ke karan Adalat ne uske gunah ko bahut kam mante huwe 9 mahine ki kaid ki saza sunayi.

Poore desh mein ye mamla charcha ka Vishay bana huwa tha. Har news channels par yahi sab khabre dikhayi ja rahi thi. Sarita ke gharwalo ko bhi pata chal gaya tha ki Abhishek ko 9 mahine ki jail ki saza hui hai. Nishchal ne Sarita ke gharwalo se baat ki aur Raani ji ko is baare mein samjhaya.

Uske baad Bachha Singh aur Raghu ki Nishandehi par desh ke kai shaharon mein Is tarah ke Kai giroh ka pardafaas hua jo Rawat aur DIG ke sath Is tarah ka galat kaam karte the.

Isi tarah Asali apradhi ko unke kiye ki saza mil gayi.

Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..

Manisha ke dimaag ki dad deta hoon jitni batuni hai utni hi satir bhi hai. Bato bato me sarita ke maan ki baat ko jaan hi liya. Sarita ke dil me bhi kuch kuch ho raha hai. Par ye kaam akal tanedarni ko samaj kaha se aati. Vaise sahi bhi kabhi in mamlo me padi nehi kabhi jayada dhyaan nehi diya to khak samjegi kaun kia hai uske parti kaisa vichar rakhta hai. Vaise nishchhal ne ek baar to kaha tha na vo sarita se pyaar karta hai 😔 to sarita ko vo baat yaad nehi hai aisa mujhe lagta hai.

Dekhte hai jo charu aur nishchhal ko lekar srita ke dimaggi pakwan me namak jayada ho gaya hai usko kaam kaise karta hai.

Adbhut atulniya lekhan kaushal:clapclap::clapclap::clapclap:
 
Top