kon hote hain wo log jo mohabbat me giraftar ho ke phir chor kar bhul jate hain main jo tumhein bhulna chahta hun to itni hi shiddat se yaad aati ho ke mujhe apne andar tumhara kas nazar aane lagta hai , tumhari pasand ka libas aaj bhi ehmiyat ka hamil hai , aaj bhi mohabbat ke naam par mera zameer cheekh cheekh kar tumhara naam pukarta hai , har raat me tumhari hi yaad hai. aaj bhi duaa karta hun bhale hi tumhein nahi mangta lekin tumhari khushi zarur mangta hun.tumhari yaad aane par rote rote hans deta hun to kabhi hanste hanste roo deta hun.!!