Fantasy CHAMATKAR (Completed)

Opinion Of The Story...

  • Good

    Votes: 33 100.0%
  • Bad

    Votes: 0 0.0%

  • Total voters
    33
Well-known member
3,825
7,366
143

UPDATE—89

Sabhi dev putro ne dhokhe se rishi ke sir par vaar kar diya jisse rishi behosh ho gaya….rishi ke behosh hote hi uske jism me adii ki chetna jagrit ho gayi…aur sabhi ghaav apne aap tezi se bharne lage.

1st dev putra—ab ja kar hamare hriday ko sukoon mila hai.

2nd dev putra—sahi kaha dost….uss din to bahut akad raha tha…aaj chuha ban gaya…hahaha

3rd dev putra—iss chuhe ko dharti me phenk do yahi se

Sabhi usko utha kar dharti me phenkne ke liye jaise hi uske paas pahuche vaise hi adii ek jhatke me uth kar khada ho gaya…usko aise khade hote dekh ek to sabhi darr kar thoda piche hat gaye lekin jaldi hi khud ko sanyat kar liya.

4th dev putra—ohhh…ye to phir se khada ho gaya….aur ghurta kya hai be…..abhi ki maar kam pad gayi kya…?

1st dev putra—lagta hai ki aaj iska maran din hi aa gaya hai.

3rd dev putra—to phir intazar kis baat ka…..maro phir se isko.

Sabhi ek sath phir se hatho me talwar lekar adii ki taraf badhne lage tezi se…jaise hi ek dev putra ne uske upar talwar se vaar kiya to adii ne beech me hi uski talwar ko pakad liya aur ek laat uske seene me jor se maar di.. jisse vo dev putra dard se chillate huye bahut door tak phisalte huye ja gira.

Adii (jor se)—maine uss din tum logo ko samjhaya tha na, ki mujhe badatmeez log bilkul bhi pasand nahi hain aur dubara main samjhata nahi hu.

2nd dev putra—ye to phir se akadne laga.

3rd dev putra—maro sab isko.

Sab ke sab ek sath adii ke upar toot pade….adii ne turant apni tilismi talwar ko yaad kiya to talwar roshni bikherti huyi adii ke hatho me aa gayi….ab in dev putro ko to iss talwar ki taqat ka andaza tha nahi….so sabhi bhid gaye adii se.

Lekin agle hi pal vaha unn dev putro ki dard bhari cheekh pukar se vaha ka vatavaran gunjayman hone laga...jo bhi adii ke samne aata, vo adii ke ek hi vaar se ghayal ho kar door ja girta.

Apne sathiyo ki aisi buri halat dekh unn dev putro ne adii ko charo taraf se gher kar uske upar ghatak jaan leva prahar karne lage.

Magar adii bina dare unke ghatak praharo ko apni talwar se rok kar unhe lahu luhan karne laga….kisi ko talwar ke vaar se to kisi ko laat aur ghoonso ke prahar se kuch hi pal me unn abhimani dev putro ke gurur ko khak me milane lag gaya.

Adii ka aisa vikaral roop dekh kar kayi dev putro ke pasine chhut gaye…..unke sath jitne bhi dev sena ke sainik aaye the adii ne unko yamlok pahucha diya.

Kayi dev putra ghayal hone ke baad vaha se bhag khade huye….unka leader ab bhi maidan me data hua tha…lekin uska koi paintara ab adii ke upar kaam nahi kar raha tha.

Leader dev putra (mann me)—koi insan itna shaktishali kaise ho sakta hai….? Isne to mere sabhi sathiyo ko pal bhar me hi dhool chata di….agar isko jaldi hi nahi mara gaya to ye dev lok ke liye bada khatra ban sakta hai…mujhe ab shakti prayog hi karna padega…yahi ek upay shesh hai ab.

Ye mann me soch kar usne apni ankhe band kar ke ek shakti ka aahvahan karne laga….usko shakti ka aahvahan karte dekh adii uske haav bhav se uss shakti ka anuman lagane laga.

Agle hi pal vaha aag bikherti huyi ek shakti prakat huyi jisko ki uss dev putra ne ungli se adii ko khatam karne ka ishara kar diya.

Ishara pate hi vo shakti adii ki taraf badi tezi se aag ki lapte nikalte huye badhi…jaise hi vo adii ke samip pahuchi to adii ne usko apni talwar se rok diya…dhire dhire vo shakti adii ki talwar me hi sama kar gayab ho gayi.

Apni shakti ko nishphal hote dekh vo dev putra kroadhit ho gaya aur ek ke baad ek shaktiyo ka prahar karne laga lekin uski koi bhi shakti adii ki talwar ke samne adhik der tak nahi tik saki aur talwar me hi sama jati jisse talwar ki taqat aur bhi badhti chali gayi.

Apna har vaar vifal ho jane par vo dev putra bina soche samjhe nihattha hi adii ko kroadh me aa kar maarne ke liye doud pada….jaise hi paas aaya to adi ne uska ek hath pakad kar uski hath ki haddi tod di.

Vo dard me jor jor se cheekhne laga….adii ne apni talwar utha kar jaise hi uske upar vaar karne ko udhyat hua vaise hi uske kano me kisi ladki ke hasne ki awaz sunayi padi to usne uss dev putra ke pet me ek laat maar ke uss awaz ki disha me chala gaya lekin jate jate..

Adii—dubara mujhse bhidne se pahle kisi achche guru se yuddh shiksha le lena….ja maine tujhe jeevan dan diya

Udhar andar karya kram me jab munish ko adii kahi nazar nahi aaya to vo har jagah usko talash karne laga..aise hi usko khojte huye vo uss dev putra ke paas tak pahuch gaya.

Munish (chounk kar)—arey aap ki ye halat kaise ho gayi yuvraj…..?

Dev putra—ye sab tumhare uss dost ke karan hi hua hai.

Munish (shocked)—kyaaaa….? Mera dost…‼..kaha hai vo aur kya kiya usne…?

Dev putra—vo tumhari bahan priyambada ke sath badatmeezi kar raha tha….maine usko roka to usne mere upar hi hamla kar diya aur mujhe ghayal karne ke baad pata nahi tumhari bahan ko kaha le gaya hoga ab….tumhara dost samajh kar maine hath nahi uthaya warna aaj to uski mrityu nishchit thi mere hatho se…..

Munish—kyaaaaaaaa…..? vo ab meri bahan ke piche pad gaya……hey gurudev main barbad ho gaya….iss adii ne mere poore pariwar ka kalyan kar diyaa….kidhar gaya hai vo…aaj main usko jinda nahi chhodunga…usne meri dosti ke naam par dhokha diya hai mujhe…..kaha milega vo mujhe….?

Dev putra—aaaaaaaa….iss taraf gaya hai vo..tumhari bahan ko jabardasti lekar

Munish—main aa raha hu bahan…tum chinta mat karo….aaj iss haiwan ko main jivit nahi rahne dunga….

Munish gusse me aag babula ho kar uss dev putra ke anusar batayi disha ki oor tezi se badh gaya.

Vahi dharti par anand ke dwara sari sachchayi jaan kar megha ke dil me dard ab aur bhi gahra ho chuka tha… rah rah kar uske hriday me ek tees si uth rahi thi.

Khatra aur chitra iss baat ko lekar pareshan the ki akhir shree ki body gayi kaha….lakh sochne ke pashchat bhi unhe kuch bhi samajh nahi aa raha tha.

Shree ke sath ye durghatna hone se kuch samay pahle……..
 
Well-known member
3,825
7,366
143

UPDATE—90

Munish uss dev putra ki baat sun kar aag babula ho utha aur kroadh ke vashi bhoot ho kar adii ko sabak sikhane ke uddeshya se nikal pada.

Idhar adii uss awaz ki disha me aage badha to kuch door jane ke pashchat hi uski nazar ek sundar nav youvana par gayi jo apni kuch saheliyo ke sath jal vihar karte huye hasi thitholi kar rahi thi.

Adii uss nav yuvti ke roop soundarya ko dekh kar uski oor aakarshit hone laga aur vahi chhup kar unki jal krida ko dekhne ka anand lene laga.

Munish ki bahan Priyamvada athakheliya karti huyi jal vihar karne me magn thi unhe iss baat ka koi abhas nahi tha ki koi chori chhupe uske iss madak soundarya ke ras ko apne netro se taktaki lagaye huye raspan kar raha tha.

Priyamvada ke iss apratim roop soundarya ko dekhte hi adii ka mann vichlit sa hone laga…..nahate huye priyamvada ka dhyan apne vashtro ki taraf bilkul bhi nahi tha…jo ki iss samay fatne ko ho rahe the…vo to ek alhad kishori ki bhanti jal krida me magan thi….vah aisi nishchhal lag rahi hai ki vo apni aayu me parivartan ke iss chinha ko bhi pahchan nahi pa rahi hai aur iss dasha me apne sharir ki bhaav bhangima ko niyantrit nahi kar pa rahi hai…uske swabhav me ek vichlan aa gaya hai jo ki umra ki vay sandhi ki vajah se hai.

Adii priyamvada ke iss roop ko dekhne ki abhilasa me aisa vichlit ho kar piche pada jaise asha me choor hua bhikhari krapan ka bhi picha nahi chhodta hai…priyamvada jaha jaha pair rakhti hai vaha vaha sarovar ban jata hai jaise hi uske sharir ka koi ang jhalakta hai to lagta hai ki bijli damak rahi ho…

Adii bahut der tak uske roop ke darshan bina palak jhapkaye karta raha…usko pata hi nahi chala ki kab unki jal krida samapt ho gayi aur vo pani se bahar nikal aayi.

Pani se bahar aate hi adii par to jaise bijli hi toot padi…geele vashtro me priyamvada ka gora maansal madak jism aur bhi khubsoorat lag raha tha…adii tab tak usko dekhta raha jab tak ki nahane ke pashchat vaha se jane nahi lagi. Usko jate dekh adii bhi uske piche piche chalne laga.

Achanak chalte huye priyamvada ka pair kisi cheez se takraya jiske karan vo apne apko niyantrit na kar pane se niche girne lagi…ye dekh kar adii turant uske paas pahuch kar usko apni baaho me thaam liya aur niche girne se bacha liya.

Priyamvada chounkte huye jaise hi palti to vo adii ke soundarya ke adbhut prabhav se uska hriday sammohit ho gaya….vah adii ko dekhte huye apni sudh budh khone lagi….iss samay bhi vo adii ke baaho ke ghere me jhul rahi thi. Uski saheliya bhi dono ko ek tak dekhe ja rahi thi aur ek dusre ki oor dekhte huye mand mand mukhkura rahi thi.

Theek ussi waqt munish bhi vaha pahuch gaya….apni bahan priyamvada ko adii ki baaho me dekh kar usne samjha ki adii uski bahan ke sath jabardasti karne ka prayas kar raha hai…ye vichar mann me aate hi uska kroadh aur bhi badh gaya aur iss kroadh ne uski sochne samajhne ki shakti ka hanan kar diya.

Munish (chillate huye)—adiiiiiiiiiiii….chhod meri bahan ko…..main kahta hu ki chhod de meri bahan ko…adiiiiiiiiii

Lekin munish ki awaz ka dono ke upar koi prabhav nahi pada jaise ki unhone uski awaz suni hi na ho ya sun kar bhi ansuna kar diya ho…ab munish isse apni avhelna samajh kar adii ko sabak sikhane ke uddeshya se ek pran ghatak shakti ka aahvahan karne laga.

“Ruk jaooo munish…ye kya anarth karne ja rahe ho….? Kyo apni mrityu ko nimantran de rahe ho….?” Usse shakti aahvahan karte dekh achanak vaha bramharshi Vishwamitra ne prakat hote huye kaha.

Vishwamitra ke prakat hote hi vaha moujud saheliya bhaybheet ho kar bhag nikli jabki priyamvada aur adii ke aachran me koi prabhav nahi pada…vo dono ab bhi ek dusre me sammohit huye khade the….apne samne rishi vishwamitra ko dekh kar munish ka kroadh kuch kam hua.

Munish—gurudev….isne mitrata jaise shabd ko apmanit aur lazzit kiya hai….isse dand milna hi chahiye…aaj main iss vyabhichari ka ant kar dunga…kripya aaj mujhe mat rokiye…

Vishwamitra—koun vyabhichari hai…? Adiii…? Tumne kiske sath usse vyabhichar karte huye dekha hai….? Aur raha uske ant karne ka sawal to kya tujhme itni shakti hai ki tum uska samna kar sako….?

Munish—ye aap kya kah rahe hain gurudev….dharti lok me isne kayi striyo ke sath vyabhichar kiya hai… muni ashtavakra ke kahne par main isko apne paas le aaya lekin yaha aa kar bhi ye nahi sudhara…isne meri patni aur meri maa ko hi apni hawas ka shikar bana dala aur aaj iski niyat meri bahan par bhi bigad gayi hai…main isse jivit nahi rahne dunga.

Vishwamitra—kya tumne adii ko apni patni aur maa ke sath kuch galat karte huye dekha hai….? Kya tumne kabhi apni patni aur maa se sach janne ki chesta ki hai….? Aur dharti lok me jo kuch hua uska asli gunahgar koun hai... ? adii ya phir khud tum..... ?

Munish—aap ye kya kah rahe hain gurudev... ? maine khud adii ko apni patni aur maa ke sath pasine me lathpath hote huye dekha hai…..dharti lok me jo hua uska apradhi main kaise ho gaya…? Jo kuch bhi hua vo sab adii ke hi karmo ka prati phal hai.

Vishwamitra—jara socho ki agar adii vyabhichari hota to kya margret, sonalika, chitra, agni, aleeza aur shree kuwari rah pati..ab tak vo ladki se aurat ban chuki hoti....kya tumne adii ko ladkiyo se door bhagte huye nahi dekha .. ? phir tumne sirf pasine me lathpath hone ki vajah se hi ye nishkarsh kaise nikal liya ki usne tumhari maa aur patni ke sath koi galat kaam kiya hai, vo bhi bina kuch dekhe hi.... ?

Munish—lekin gurudev.....maine adii ko apni patni aur maa ke sath sambhog karte huye mahsoos kiya hai aur dharti lok me bhi usne....

Vishwamitra—tumne apni maa aur patni ke sath jo bhi adii ko karte huye mahsoos kiya hai vo sirf tumhare mann ka vaham hai....ye satya hai ki vo dono adii ki taraf aakarshit huyi thi kintu satya yahi hai ki adii aur unke beech aisa kuch bhi nahi hua ki jisse adii ko tumhare sharmashar hona pade....band kamre ke andar unke beech vastav me kya hua tha ye tum apni patni aur maa se hi puchna to adhik behtar hoga.

Vishwamitra—adii ko itni shaktiya di gayi....swayam bhagwan shiv ne usko apna ashirwad pradan kiya...agar adii ek vyabhichari hota to kya ye hona sambhav tha.... ? dharti lok me adii ke sath jo hua vo tumhari galtiyo ka natiza hai….rishi ashtavakra ne tumhe adii ko prem ka mahatva samjhane ka jimma diya tha jabki tumne uske dimag me kaam vasna ki shakti bhar di...phir bhi vo khud se ladta raha....usne tumhe shraap mukt kiya aur tumne kya kiya uske sath.... ? mitrata me dhokha kisne diya..tumne ya adii ne... ?

Munish—mujhe kshama kare gurudev....jab rishi ashtavakra ne mujhse adii ko shaktiya dene ki baat kahi to mujhe mere ek dev putra ke hote huye bhi ek manav ko itni shaktiya dena sahi nahi laga..mere mann me adii ke prati eershya ne janam le liya tha....aur iske chalte hi maine har kisi se adii ko apmanit karana chahta tha aur ye siddh karna chahta tha ki manav hum devtao se shrestha kabhi nahi ho sakte.....maine hi eershya me andha ho kar azgar ko uske dharti lok me hone ki baat batayi thi...mujhe kshama kar de gurudev.

Vishwamitra—tumne apni patni aur maa ke sath adii ka jo sambhog drishya dekha hai vo tumhari ussi shakti ke karan hai...jise rishi ashtavakra ne tumhe sahi marg dikhane ke liye apni shakti se racha tha...baki satya apni patni aur maa se jaan lena....aur haan kal adii ko mere paas le aana...ab aage uski shiksha diksha dene ka kaam mera hoga.

Munish—gurudev...main bahut lajjit hu apne kritya par....main apni bahan ka vivah adii ke sath karna chahta hu ab...kya ye sambhav hai.. ? kyon ki adii ek manav hai aur meri bahan ek dev kanya……

Vishwamitra—tumhara vichar ati uttam hai....adirishi ki saat nirdharit patniyo me se ek priyamvada ka hona shubh hai.

Munish—lekin gurudev…vo kabhi adii ban jata hai to kabhi rishi…aise me main apni bahan ka vivah kiske sath karu….? Kya iska koi samadhan nahi hai….?

Vishwamitra—iska upay sirf ek hi hai aur vo hai rajnandini…..kewal rajnandini hi dono ko ek kar sakti hai… jis din vo adii ya rishi ke samne aa jayegi uss din se hi adirishi ka uday ho jayega.

Dusri taraf pari lok me rajnandini ko dekh kar sabhi hairan bhi the aur khush bhi….aaj kayi varsho ke pashchat unki maharani apne rajya me punah aayi thi aur unke charan padte hi pari lok me chhaya andhakar door ho gaya tha.

Sonalika ko kuch dasiyo ki madad se bistar par lita diya gaya….rajnandini abhi bhi adirishi ki tasveer ko dekhe ja rahi thi…uski ankho me nami aur vyakulta dono hi hilore le rahi thi.

Gurudev—aap itne samay tak kaha rah gayi thi maharani…maharaj aur apke yaha se chale jane ke pashchat pari lok nirjeev sa ho gaya tha.

Rajnandini—rajguru…ye sona ko kya hua hai…? Aur vo log yaha tak kaise pahuche…? Pari lok me itna andhakar kyo tha.... ? jabki singhasan aur uss mukut ke hote huye to aisa kadapi nahi hona chahiye tha.... ?

Gurudev—iski vajah bhi rajkumari sonalika hi hai maharani.

Rajnandini—vo kaise.... ?

Gurudev—maharani, rajkumari ko yaha se kilwish jabardasti utha le gaya tha.

Rajnandini (chounk kar)—kyaaaa Kilwishhhh.... ? kintu vo mar chuka tha na... ?

Maharaj—vo vapis lout aaya hai maharani...usne aate hi meri putri ko ghasit kar yaha se le gaya.

Rajnandini—ye to bahut hi bura hua....ye to asambhav tha...avashya hi isme naravali ka hi koi hath raha hoga... lekin singhasan aur mukut ki shaktiyo ke hote huye ye kaise mumkin hua ki yaha itna andhera vyapt ho gaya tha.. ?

Gurudev—maharani, asal me baat ye hai ki....

Ab sonalika ki kahani sun kar jhatka khane ki bari rajnandini ki thi........

Vahi dharti par anand ke dwara sari sachchayi jaan kar megha ke dil me dard ab aur bhi gahra ho chuka tha… rah rah kar uske hriday me ek tees si uth rahi thi.

Khatra aur chitra iss baat ko lekar pareshan the ki akhir shree ki body gayi kaha….lakh sochne ke pashchat bhi unhe kuch bhi samajh nahi aa raha tha.

Shree ke sath ye durghatna hone se kuch samay pahle……..

Chitra ne charo dosto ko maar maar ke vaha se bhaga diya....bechare kisi tarah se apni jaan bacha kar vaha se nikal paye nahi to aaj unki mout jaise pakki hi thi chitra ke hatho se.

Chuttad (bhagte huye)—arey re…maar dala re….pata nahi ye koun mere piche pad gaya hai….jab dekho bina baat kiye hi utha ke patak deta hai.

Nangu (bhagte huye)—chuttad tu sahi kahta tha..koi to hai jo hame shree se door rakhna chahta hai, shayad vo nahi chahta ki hum shree ko sach bata sake.

Pangu (bhagte huye)—ab aur nahi bhaga jayega yaar mujhse…saans foolne lagi hai ab to..

Gangu—chalo uss ped ke niche baithate hain.

Sabhi road ke kinare lage ek ped ke niche baith gaye…aur apni apni aniyantrit ho rahi saanso ko niyantrit karne lage…

Gangu—pata nahi kya bala thi yaar....badi jor se patka usne...meri to kamar hi toot jati agar thodi der aur vaha rukta to...

Nangu—kamar hi kya..sab kuch toot jata agar vaha se bhagte nahi to…lekin vo ho koun sakta hai aur hame shree se door rakhne me uska kya prayojan ho sakta hai….?

Chuttad—jarur isme uss kamine azgar ka hi hath hoga.

Gangu—agar aisa hua to iska matlab ki shree ki jaan ko khatra ho sakta hai…hame kisi bhi tarah shree se milna hi hoga chahe isme phir hamari jaan hi kyo na chali jaye.

Pangu—tum sahi kah rahe ho….hame ek koshish aur karni chahiye.

Abhi vo baat kar hi rahe the ki tabhi ek gadi unki ankho ke samne se badi tezi se gujri….driving seat par baithe shakhs par chuttad ki nazar padte hi vo chounkte huye jor se uchhal kar khada ho gaya.

Gangu—ab iss chuttad ko kya ho gaya…?

Pangu—vo phir se hamare piche to nahi aa gaya na...hamara picha karte huye.... ?

Chuttad (shocked)—nahi yaar...chalo utho….mujhe lagta hai ki shree ki jaan ko koi khatra hai....maine abhi abhi usko rote huye tezi se gadi chalate huye dekha hai.

Teeno (shocked)—kyaaaaaaa..... ? kidhar gayi hai vo…?

Chuttad (ungli se ishara karte huye)—uss pahadi ki taraf

Teeno—chalo phir jaldi….shree ka picha karte hain.

Charo ne tezi se uss pahadi ki taraf doud laga di….lekin jab tak vo vaha tak pahuche tab tak shree ki gadi unbalance ho kar khayi me tezi se niche ki oor ja rahi thi.

Charo dosto ne ye dekh kar vahi se gadi ke upar chhalang laga di….vo gadi ko to niche jane se nahi rok paye kintu furti dikhate huye aage ka darwaja khol kar usme se shree ko bahar khich liya jiske sir me chot lagne ki vajah se khoon bah raha tha aur vo behoshi jaisi halat me pahuch chuki thi.

Bahar nikalte hi jab charo ne uski ye halat dekhi to unhone shree ko yatha shighra kisi doctor ke paas le jaane ka nirnay liya…..shree adii…adiii dhire dhire kahte huye antatah chetna shunya ho gayi…..charo turant shree ko lekar vaha se chale gaye.

Udhar ek jungle me koi aaj bahut jyada gusse me tha….uski kroadhagni ko dekh kar aisa pratit ho raha tha ki jaise aaj sab kuch uski iss kroadhagni me jal kar bhasm ho jayega.

(Update Size : 2526 Words)
 
Well-known member
3,825
7,366
143

UPDATE—91


Shree ko lekar charo turant pahad se niche utar kar apni shakti se gadi vaha manga ke hospital le gaye….doctor ne isko accidental case kah kar ilaz karne se mana kar diya.

Nangu—dekhiye, pls inka ilaz kar dijiye…jitna paisa chahe le lo.

Doctor—ye nahi ho sakta...pahle police F.I.R. hogi uske baad ilaz.

Chuttad—theek hai..aap hame yaha ke sabse bade doctor ka number do…hame unse baat karni hai.

Doctor—unke paas jane jane ki koi jarurat nahi hai….maine unko call kar ke sab bata diya hai…vo khud hi yaha aate honge.

Kuch hi der mein vaha hospital ka head doctor Jaykal aa gaya…..usne bhi vahi kaha jo kuch uss doctor ne kaha tha kintu jaise hi uski nazar ghayal aur behosh shree par padi to vah buri tarah se chounk gaya.

Jaykal (chounk kar mann me)—Rajnandini……aur yaha….? Andhera kayam rahega tamraj kilwish....shaitan jindabad

Pangu—sir, inke ilaz ke liye kuch kariye.

Jaykal—doctor tum iss ladki ka ilaz shuru karo…i will handle police case.

Jaykal ke kahne ke baad doctor’s ne shree ka ilaz shuru kar diya….uske sharir me kayi jagah par chote aayi thi… lekin jyada gambhir chot koi bhi nahi thi.

Jaykal apne cabin me baith kar kisi gambhir chinta me khoya hua tha….shayad vo shree ke hi vishay me kuch soch raha tha.

Jaykal (mann me)—mujhe iss bare me jald se jald Kilwish ya phir Azgar se baat karni hogi….agar ye ladki rajnandini nahi huyi to phir koun hai…? Mujhe iska bhi pata lagana hoga….main aaj raat me hi Tamraj kilwish se baat karta hu.

Jabki chuttad aur gangu ke ab tak ghar na pahuchne par unki biwiya pareshan thi….akhir kar deepa pata lagane ke liye saroj ke flat me aa gayi.

Tota (murugan)—ye lo ab ye bhi yahi apna dhandha karegi lagta hai.

Deepa (shocked)—saroj…ye tota mujhe kuch theek nahi lag raha hai.

Saroj—haa, yaar…jab se aaya hai kuch na kuch ulta sidha hi bolta rahta hai.

Deepa—mere ye abhi tak nahi aaye…jane kaha gaye honge….? Tumhe kuch pata hai…?

Saroj—ye bhi to nahi aaye abhi….pata nahi kaha honge….? Phone bhi nahi lag raha hai.

Murugan—aur kaha honge....kahi kisi tum dono jaisi kisi dhandhe wali ke yaha muh maar rahe honge dono ke dono.

Saroj—ye tote chup kar...nahi to teri gardan marod dungi samjha.

Murugan—mera naam murugan hai samjhi....tum dono ke liye main khoob grahak dhoond kar launga.

Deepa—kyaaaaaa…..?

Saroj—tu ham dono ko dhandhe wali samajh raha hai…..? ruk teri to….

Murugan—mujhe kyo marne ko doud rahi ho…? Main to tum dono ki kamayi badha raha hu….tum dono ki advertisement karunga.

Deepa—bada hi badatmeez tota hai ye saroj…..chal tab tak bahar ice-cream kha kar aate hain.

Saroj—ruk..main kapde badal ke aati hu.

Murugan—arey yahi utar de…utar de…mere alawa koi nahi dekhega.

Saroj—subah hi isko bahar phenk dungi....kitni gandi juban hai iski...chal aise hi chal.

Idhar shree ke baare me koi pata na chalne par khatra aur chitra jungle me agni ke paas pahuch gaye jaha vo abhi abhi sone ke liye jamin me leti hi thi.

Adii ke sath huyi ghatna ke baad jab se agni ne ghar chhoda to vo apne mata pita ke paas na jakar sidhe jungle me pahuch gayi jaha usne khayi me kood kar apne pran tyagne ki koshish ki lekin tabhi kisi mahila ne usko pakad liya aur uski dukh bhari kahani sunne ke baad agni ko apne sath ek ashram me le aayi.

Vaise to ye ashram koi jyada bada nahi tha aur na hi adhik log the vaha par....yada kada hi koi aa jata tha vaha paas ke gaon se aur kuch na kuch daan de deta tha.

Aajivika ke nirvahan hetu kuch phal vagairah ke ped lage huye the….paas me hi ek chhota sa prakratik jal kund bana hua tha jisme hamesha sachchh aur nirmal pani bhara rahta tha.

Vo aurat iss ashram ki sanchalika thi...umar lagbhag 90 saal se upar ki rahi hogi uski....usne apne gyanopdesh se agni ke mann me chal rahe santaap ko kuch had tak kam karne ka prayas kiya.

Dhire dhire agni ussi ashram me rahte huye dhyan lagane lagi aur apna jeevan kaatne lagi....aaj itne samayoprant khatra ko vaha dekh kar vo ashcharya chakit huye bina na rah saki.

Agni—khatra... tum yaha... !

Khatra—mujhe khasma kare malkin...lekin mujhe aaj aap ke paas aana hi pada.

Agni—ab bacha hi kya hai meri zindagi me khatra...aur tumhare sath me ye ladki koun hai... ?

Chitra—mera naam chitra hai....hum aap se adii ke baare me kuch behad jaruri baate karne ke liye aaye hain.

Agni—unke baare me ab kya baat karni hai tum dono ko... ?

Khatra—malkin baat ye hai ki......(phir poori baat batate huye)

Jaise jaise khatra batata gaya…agni ki ankho ne pani barsana shuru kar diya…..lekin jaise hi uska dhyan iss baat par gaya ki kisi ne adii ko jaan se maarne ki koshish ki hai to uski ankho me anshuo ki jagah achanak se sailab umad pada.

Kroadh ki jwala bhabhak uthi….agni ki kroadhagni itni prachand ho gayi ki aisa lagne laga jaise uski kroadh ki jwala me sab kuch aaj jal kar raakh ka dher ban jayega.

Agni (gusse me)—kyaaa…? Vo jinda hain….? Jisne bhi unhe jaan se maarne ki koshish ki hai main uska namo nishan iss sansar se nirmool kar dungi.

Khatra—kintu abhi hame apki madad ki avashyakta hai….kewal aap hi ye pata laga sakti hain ki malik uss ashram me hain ya nahi….?

Agni—chalo abhi chalo…mujhse ab subah hone ka intazar nahi kiya jayega.

Agni un dono ke sath ratri prahar me hi kanak rishi ke ashram ki oor prasthan kar gayi….Jabki dusri taraf pari lok me raj guru sonalika ki kahani rajnandini ko sunane ja rahe the.

Rajnandini—rajguru…sona ko kya hua hai aur vo iss avashtha me kaise pahuchi….?

Raj guru—maharani…baat ye hai ki ye maharaj Adirishi ke karan hua hai.

Rajnandini (chounk kar)—kyaaaaa….ye kya kah rahe hain aap….? Ye bhala kaise sambhav ho sakta hai…?

Raj guru—rajkumari sonalika dharti lok ke ek ladke aditya se prem karti thi…..(poori baat batate huye)…

Rajnandini—sona ne jo kiya vo galat kiya uss ladke ke sath….agar vo sachcha prem karti to kadapi uss par shanka nahi karti….sabne uske sath ek tarah se chhal hi kiya hai.

Raj guru—lekin aap janna nahi chahengi maharani ki vo ladka adii koun hai….?

Rajnandini—koun hai….?

Raj guru—hamare maharaj adirishi hi adii hain.

Rajnandini (shocked)—kyaaaaaaaa…..?

Raj guru ki iss baat se rajnandini ko jabardast jhatka laga….khade khade hi vo dhadam se niche baith gayi…jiske liye vo sadiyo se uske aane ki pratiksha kar rahi thi…jiske aane ki ummid me vo har roj apni asha ka deepak bujhne nahi deti thi….jiski talash me kaha kaha nahi bhatki vo….har jagah thokre khati rahi….sab kahte rahe ki vo mar chuka hai ab kabhi nahi ayega…lekin rajnandini ne kisi ki baat nahi maani….use apne rishi par aur uske prem par atoot vishwash tha.

Aaj uska vahi vishwash dharashayi hone ki kagar par aa chuka tha….uski barso ki tapasya, uski khoj aaj poori bhi huyi to kin paristhitiyo me….?

Rajnandini (chillate huye)—nahiiii…ye nahi ho sakta….ye jhooth hai raj guru….mera rishi mujhse mile bina nahi ja sakta….main ye manne ko bilkul taiyyar nahi hu…..main adii ke inn sabke pyar ko swikar na karne ki vajah janti hu rajguru…..main aaj hi dharti lok jaungi

Rajguru—lekin maharani…

Rajnandini—lekin vekin kuch nahi…..mere rishi ko kuch nahi ho sakta…..agar main jinda hu to unko bhi mere prem ki laaz rakhni hi hogi…..unhe apni rajnandini ke liye vapis aana hi hoga.

Rajnandini uske baad bina kisi ki baat sune vaha se ati vyagrata me dharti lok ki oor badh gayi tezi se……
 
Well-known member
3,825
7,366
143

UPDATE—92

Hospital me shree abhi bhi behosh thi….charo dost vahi hospital ke bahar ruk kar uske hosh me aane ki pratiksha kar rahe the….kyon ki hospital ke andar rukne dene se Jaykaal ne mana kar diya tha.

Pangu—shree ke hosh me aate hi hum usse kahenge kya….?

Chuttad—abe tubelight…..isme sochna kya hai….hum usko sab sach sach bata denge…..?

Pangu—sab sach sach bata denge….jaise ki vo hamari baat par yakin kar hi legi…..yakin karna to door sunegi tak nahi vo hamari aisi baate…

Chuttad—kyo nahi sunegi….? Akhir hamne uski jaan bachayi hai….? Use sunna hi hoga…

Gangu—nahi yaar….pangu theek kah raha hai….dharti ke log dusri duniya ke hone ki baat par yakin nahi karte hain….aise me shree ke samne apni baat rakhna bahut mushkil kaam hoga….aur vaise bhi usne hame kaha dekha dekha hai bachate huye..vo to behosh ho gayi thi.

Nangu—to ab kya kare….?

Gangu—karna kya hai…hame apni baat to kahni hi padegi.

Chuttad—mere paas ek idea hai….

Teeno—kyaa….?

Chuttad—beshak shree hamari kisi baat ka yakin kare ya na kare…..lekin rishi ka naam sun kar uske mann me kuch na kuch to jarur halchul paida hogi.

Nangu—ye bhi ho sakta hai.

Idhar ye sab apas me baate karne me lage the udhar Jaykaal jo ki ek famous scientist aur kale jadu ka jankar bhi tha apni laboratory me baith kar Kilwish se sampark sthapit karne me laga hua tha….sampark sthapit hote hi vo teleport hokar uske paas pahuch gaya.

Jaykaal—kilwish ki jay ho…

Kilwish—Andhera kayam rahe….kaho jaykaal kya khabar hai….?

Jaykaal—andhera kayam rahega tamraj kilwish…..maine kuch samay pahle yaha dharti me rajnandini ko dekha hai.

Kilwish (chounk kar)—kyaaa…rajnandini aur dharti lok me….? Kuch samay pahle hi to Usne akaal aur bakaal ke hatho se pari lok ki rajkumari sonalika ko chhuda kar gayi thi….vo pari lok se yaha kyo aayi….?

Jaykaal—aap kaho to aaj hi usko khatam kar du….?

Kilwish—nahi jaykaal….rajnandini ko khatam karna tumhare bas ki baat nahi….uske paas tumse adhik khatarnak shaktiya hain…..tum uske upar nazar rakho aur ye janne ka prayas karo ki uske dharti lok me aane ke piche uska maqsad kya hai…..? jarur vo hamare khilaf koi bade sadyantra ki rachna kar rahi hai.

Jaykaal—aap chinta mat kaijiye maha mahim…vo meri nazaro se ab ojhal nahi ho payegi.

Kilwish—iss kaam me chaho to tum shaitan lok ki mashahoor jadugarni Damdami mayi aur tantrik Jhinga lala ki madad le sakte ho.

Kilwish ne dono ko bula kar jaykaal ke sath jane ko kaha…dono me halanki bahut kam banti thi….jhinga lala, hardam damdami mayi ke piche hi pada rahta tha lekin vo usko bhaav nahi deti thi.

Udhar subah hote hi shree ko hosh aaya to khud ko hospital ke bed par dekh ke chounk gayi….uske sir par aur jaha kahi bhi sharir ke hisso me chot aayi thi vaha patti bandhi huyi thi.

Usko hosh me aate dekh kar nurse doctor ko bulane chali gayi….shree ki ankho ke samne kal raat ki sari baate phir se ghumne lagi aur uski ankhe dard se nam ho gayi.

Doctor turant nurse ke sath aa gaya lekin unko shree vaha kahi nahi dikhi….unhone socha ki shayad vo bathroom me hogi kintu jab kafi samay baad bhi koi bathroom se bahar nahi aaya to unhone vaha check kiya…par bathroom me bhi koi nahi tha.

Unhone poora hospital dekh liya….charo dosto ko bhi andar bula kar iss ghatna ke vishay me bataya, sath hi jaykaal ko bhi inform kar diya.

Ye baat sabhi ke liye chounkane wali thi ki shree achanak kaha gayab ho gayi…..? itna jaldi usko dharti nigal gayi ya phir aasman kha gaya….? Main gate se bahar nikalte bhi usko kisi guard ne nahi dekha tha.

Udhar swarg lok me adii ne munish ke prastav par priyamvada se vivah karne ki baat swikar kar li….priyamvada bhi behad khush ho gayi.

Rishi vishwamitra adii ko apne sath himalaya ke ghane junglo ke beech apne ashram par le aaye aur vaha usko yuddh kala koushal me nipun karne lage….ashram ke aas paas me aur bhi kayi ashram the unme aur bhi kayi rishi aur unke pariwar rahte the…ye sabhi rishi vishwamitra ke shisya the.

Ashram me gaay aur bhainso ki koi kami nahi thi….jinka doodh pi kar adii aur bhi tandurust ho raha tha…. vishwamitra ne rishi ko bhi samjha diya tha.

Vahi agni khatra aur chitra ke sath kanak rishi ke ashram kshetra me pahuch gayi dono ki madad se…kintu khatra aur chitra ne jaise hi ashram me pravesh karne ka prayas kiya to ashram ke charo oor laga hua adrishya suraksha kawach ne dono ko bahar phenk diya.

Agni—lagta hai ki ashram ke charo oor suraksha kawach ka ghera hai…tum dono meri yahi pratiksha karo.

Khatra—jo agya malkin.

Agni ashram ke andar chali gayi …vaha pahuch kar usne anya rishiyo ke puchne par usne bataya ki vo kanak rishi se milne aayi hai….

Ek shisya—aap kuch der yahi intazar kariye devi…main gurudev ko aap ke baare me suchit kar deta hu.

Agni—apka bahut bahut dhanyawad.

Vo shisya ashram ke andar bani huyi ek kutiya ke bhitar chala gaya….jaha usne kanak rishi ko agni ke vishay me bataya…kanak rishi uss samay vishram kar rahe the.

Kanak—theek hai, unn devi ko aadar sahit mere paas le aao.

Shisya—ji gurudev……(bahar aane ke baad)—aap mere sath andar chaliye…gurudev apki pratiksha kar rahe hain.

Agni—ji, chaliye.

Agni us shisya ke sath kutiya ke andar aa gayi….kanak rishi bistar se uth kar apne aasan me virajman ho chuke the agni ne unhe pranam kiya.

Agni—kanak rishi ke charno me ek tuksh sadhvi ka pranam.

Kanak—aao…devi agni..tumhara mere iss ashram me swagat hai.

Agni—ye to mera aho bhagya hai ki mujhe apke darshano ka saubhagya prapt hua.

Kanak—aap koi sadharan kanya nahi hain devi….aap to agni kund se uttapann huyi hain…agni putri hain….phir bhi kahiye devi agni….main apki kya sahayta kar sakta hu….?

Agni—hey muni shrestha…main apne pati aditya rajvansh ki talash me apke shri charno tak aayi hu…kripaya mera marg darshan kijiye.

Kanak—aap dhanya hain devi….aur dhanya hai apki pati bhakti…aap ke sumadhur vachno ne mera hriday bhi jeet liya hai, putri….main avashya hi apki madad karne ka har yatha sambhav prayas karunga jaha tak mere adhikar kshetra ki seema ke tahat sambhav ho sakega.

Agni—main sadaiv apki abhari rahungi munivar.

Rishi kanak apni ankhe band kar ke dhyan mudra me aasin ho gaye.....dhyan me jate hi unhe sab gyat ho gaya ki agni kis ke vishay me janne ke liye yaha aayi huyi hai....dhyan me kuch der rahne ke baad unhone apni ankhe kholi.

Kanak—putri....baat aaj se kayi varsh pahle ki hai.....jab main ek baar bramha ji ki tapasya karne ke liye ja raha tha.
 
Well-known member
3,825
7,366
143

UPDATE-93


Kanak—aap koi sadharan kanya nahi hain devi….aap to agni kund se uttapann huyi hain…agni putri hain….phir bhi kahiye devi agni….main apki kya sahayta kar sakta hu….?

Agni—hey muni shrestha…main apne pati aditya rajvansh ki talash me apke shri charno tak aayi hu…kripaya mera marg darshan kijiye.

Kanak—aap dhanya hain devi….aur dhanya hai apki pati bhakti…aap ke sumadhur vachno ne mera hriday bhi jeet liya hai, putri….main avashya hi apki madad karne ka har yatha sambhav prayas karunga jaha tak mere adhikar kshetra ki seema ke tahat sambhav ho sakega.

Agni—main sadaiv apki abhari rahungi munivar.

Rishi kanak apni ankhe band kar ke dhyan mudra me aasin ho gaye.....dhyan me jate hi unhe sab gyat ho gaya ki agni kis ke vishay me janne ke liye yaha aayi huyi hai....dhyan me kuch der rahne ke baad unhone apni ankhe kholi.

Kanak—putri....baat aaj se kayi varsh pahle ki hai.....jab main ek baar bramha ji ki tapasya karne ke liye ja raha tha.

Ab Aage.....

Kanak—Tapasya ke liye jate waqt marg me mujhe ek yuvak achet avastha me mila....maine apne kamandal se uske upar jal ki kuch boonde dal kar uski chetna ko vapis lane ka prayas kiya kintu safal nahi ho saka.

Apne kuch shisyo ki madad se main uss yuvak ko yaha ashram me le aaya aur uska upchar karne laga...maine uski pahchan janne ke liye jab dhyan yog me leen hua tab uske vishay me jaan kar main chounk gaya.

Kyon ki vah yuvak iss lok ka tha hi nahi....vo ek mahan satya nistha karmath karmyogi tha....aise mahan vibhuti ke mere ashram me aane se mera kartavya aur bhi badh gaya tha.

Maine apne shisyo ke sath din raat usko theek karne ke liye athak parishram kiya lekin koi sarthak parinam nikal kar samne nahi aaya.

Maine har tarah se usko theek karne ke yatn kiye...inn prayaso ke chalte maine apni shaktiyo ki madad se uske mastisk ki yaado ko chetna shunya nahi hone diya.

Aise hi upchar karte huye na jane kitne varsh nikal gaye...kintu uski sthiti yathavat bani rahi...usme jaan hote huye bhi bejan ki hi tarah ho kar rah gaya tha.

Tabhi aaj se paanch varsh pahle mere kuch shisya yaha paas me hi jeevan dayini maa ganga ke tat par snan kar rahe the ussi samay unhe koi yuvak ganga me bahta hua dikhayi diya.

Unhone usko shighra hi pani se bahar le aaye kintu jaise hi uss yuvak ko dekha to sabhi chounk gaye kyon ki vo yuvak ashram me marnasann avastha me pade yuvak ka ham shakal tha.

Sabhi shisya uss yuvak ko behosi ki halat me hi mere paas yaha ashram me le aaye...ek pal ke liye to usko dekh kar meri buddhi bhi bhramit ho kar rah gayi thi.

Uske sharir par kayi jagah kisi tez dhardar hathiyar se kiye gaye gahre chot ke nishan iss baat ka praman the ki ganga me girne se poorv uske upar kisi ne chhal se hamla kiya hai kyon ki ghaav adhiktar uski pith par the.

Maine dhyan sadhna se uske baare me sab pata kar liya aur uss din mujhe ye bhi gyat ho gaya ki main ab tak pahle wale yuvak ki chetna vapis lane me kyo asmarth raha.

Kyon ki dono ka hi ek hi naam tha..Adirishi...vaise pahle wale yuvak ko log rishi ke naam se aur dusre ko adii ke naam se jante hain....aur ye dusra yuvak pahle wale ka punarjanam tha ..isliye pahle wale ki chetna vapis nahi lout rahi thi.

Maine jadi butiyo ki madad se uska upchar karke uske sabhi ghaavo ko bhar diya...iss upchar se uski halat me dhire dhire sudhar hone laga.

Jab vo sharirik roop se poorn swasth ho gaya to maine rishi ashtavakra ki sahayta se pahle wale yuvak ki smritiyo ko uske mastisk se nikal kar dusre ke mastisk se jod diya.

Iss prakriya me lagbhag char varsh lag gaye...iske pashchat rishi ka sharir nast ho gaya....aur adii ki chetna dhire dhire loutne lagi.

Chetna vapis aane ke baad adii ne ek varsh yahi ashram me vyatit kiya ..tatpashchat uske mitra munish ke sath usko swarg lok guru vishwamitra se shiksha grahan karne bheja gaya hai.

Agni (khushi se)—iska..matlab mere pati jivit hain..... ?

Kanak—ha..devi agni apka pati jivit bhi hai aur surakshit bhi.

Adii ke jivit hone ki baat kanak rishi ke mukhar bindu se sun kar agni khushi se bhaav vibhor ho gayi..uski ankho se harsh aur vishad ke mishrit bhaav umad pade aur vo anshuo ke roop me bahar chhalak aaye.

Kanak—putri..apke pati ke sath jo kuch bhi ghatit hua usme kisi ka koi dosh nahi hai....ye sab vidhata ka likha lekh tha.

Agni—phir bhi rishivar...jo kuch unn logo ne mere pati ke sath kiya uske liye unhe kshama bhi to nahi kiya ja sakta.

Kanak—beti maine kaha na ki ye sab hona poorv nirdharit tha….jara socho..agar adii ke sath unn logo ne ye sab nahi kiya hota to kya ganpat rai ki ladki ki jaan bach sakti thi... ? kya vo yaha tak pahuch sakta tha... ? aur agar vo yaha tak nahi pahuchta to kya vo apne vastavik astitva se parichit ho pata.... ? kya adii aur rishi ki yaade ek ho pati.. ? agar dono ki yaade ek nahi hoti to uss ladki ke nishchal prem ka kya hota jo uske vapis aane ka sadiyo se intazar kar rahi hai.... ? uss maa ka kya hota jo apne bete se ek baar milne ke liye kab se tadap rahi hai... ? kya vo phir se adirishi ban pata.... ? aur agar vo adiirishi nahi banta to uske janam ka uddeshya hi adhura rah jata...har jagah kewal paap aur andhakar ka hi rajya kayam ho jata, jiske ki vinash ke liye adirishi ka punarjanam atyant avashyak tha.....tum bas itna samajh lo ki ye sab ghatnaye kayi bikhari huyi kadiyo ko ek karne ki disha me vidhata dwara rachi gayi maya ka ek hissa thi.

Agni (hairan)—koun si ladki intazar kar rahi hai sadiyo se... ? koun si maa.... ? kaisa uddeshya.... ? main kuch samjhi nahi gurudev....kripaya savistar samjhane ki kripa kare...

Kanak—vo ladki jo usko apna sarvasva manti hai....uske roop soundarya ke samne swarg log ki apsaraye bhi naganya hain....rankshetra me vo ranchandi ke saman hai....prem me uske chandrama ki sheetalta hai...adirishi ke hriday ki aatma hai vo ladki.... mata mahakali ki uss shisya ka naam hai Rajnandini.

Kanak—devi adii ki mousi megha hi uski asli maa hai....

Agni—kripaya mujhe rajnandini aur adirishi ke bare me vistar se bataiye..

Kanak—beti, ye baat kayi sadiyo purani hai..jab**************

Agni—aaj main dhanya ho gayi munivar….mujhe apne aap par garv mahsoos ho raha hai ki main aise maha purush ki patni hu…..par gurudev kya vo mujhe swikar karenge….? Kyon ki unhone aaj tak dil se mujhe apni patni nahi mana hai….vo to ladkiyo se door bhagte the.

Kanak—beti…usne tumhe ya kisi ko bhi apne hriday me sthan nahi diya kyon ki vo rikta hi nahi tha…..uske hriday sthal par to sirf rajnandini hai…bhale hi usko uske bare me kuch yaad na ho kintu kahi na kahi uske dil me rajnandini ke amar prem ki chhap to lagi huyi thi jo usko kisi ke sath judne se rok deti thi….isliye hi usne kisi ke prem ko swikar nahi kiya….aur dusri baat ye bhi thi ki vo khud bhi apne vastavik pahchan se anbhigya tha….kintu ab halat alag hain…vo tumhe jarur swikar karega….devi agni tumhare janam ka bhi ek vishesh prayojan hai, jo samay aane par tumhe malum chal jayega.

Agni—mujhe unke darshan kab honge….?

Kanak—samay ki pratiksha karo devi….jald hi sab ka usse milan hoga….tab tak aap apne pariwar me shamil ho kar unke dukh dard ki sahbhagi ban kar unhe santwana pradan karo.

Agni—kya aap shree ke vishay me mujhe kuch jankari de sakte hain….?

Kanak—shree hi to vo mahatvapurn kadi hai jiski vajah se adirishi ko adi ke roop me dharti par janam lena pada… vo jaha bhi hai, samay aane par aap logo tak pahuch jayegi.

Agni—jo agya rishivar…ab mujhe jane ki anumati pradan kare.

Kanak—apki mano kamna poorn ho devi.

Agni ashram se bahar nikal kar khatra aur chitra ke paas aa jati hai aur unhe sara vratant kah sunati hai…jise sun kar vo dono bhi bahut khush ho jate hain.

Agni unn dono ke sath urmila ko dekhne ke liye hospital ki oor chal pade…vahi pari lok me sonalika bistar me lete huye apni purani yaado me khoyi huyi thi..jab vo adii ko chhod kar pari lok vapis lout aayi thi.

Short Flashback

Aaj pari lok me adii ka raj tilak karne ke liye poora pari lok aur anya lok ke pratinidhi upasthit the…sabhi ke chehro par utsah dekhte hi banta tha.

Adii ko bhala bura kahne aur aarop pratyarop lagane ke baad sonalika shree ke vaha se jane ka kahne par gusse me pari lok lout aayi.

Maharaj aur maharani sonalika ko aaya dekh kar bahut khush huye…kintu jab unhone uske sath me adii ko nahi dekha to soch me pad gaye kyon ki raj tilak ke muhurt ka samay najdik hi tha.

Maharani—putri tum akeli aayi ho…? Damad ji aur hamare hone wale maharaj kaha hain…?

Sonalika (gusse me)—mat kaho maharaj uss papi ko….vo hamara maharaj banne ke kabil nahi hai….aur na hi mera pati banne yogya hai….pata nahi kaha se aap logo ko uske andar adirishi ke darshan ho gaye….? Jabki vo ek number ka dhokhebaz aur makkar, hawash ka pujari insan hai…

Maharaj aur maharani sonalika ke iss badle vyavhar se ashcharya chakit rah gaye…ussi samay guruji bhi vaha aa gaye…sari baate sun kar unhe behad kroadh aaya.

Guruji (kroadhit)—aap apne hosh me to hain na rajkumari….? Aap ko gyat bhi hai ki aap kya aur kis ke vishay me anargal baate kiye ja rahi hain….?

Sonalika—main bahut achchi tarah se janti hu ki main kis ko kya kah rahi hu….vo to achcha hua ki aaj vaha aleeza aa gayi to uss vyabhichari ki sari pol khul gayi aur main uske hawash ka shikar hone se bach gayi.

Guruji (jor se)—murkh ladki..lagta hai tujhe apne roop par bahut jyada hi abhiman ho gaya hai….uss ladki ke paas to buddhi nahi thi…kintu tum ye kaise bhul gayi ki tum aaj agar yaha surakshit khadi ho to ussi adii ki badoulat khadi ho….usne hi tumhe aur tumhare mata pita ko tantrik jadugar kapali ki qaid se azad karwaya tha.

Guruji (chillate huye)—usne kis ke sath vyabhichar kiya…? Kya usne tumhari asmat lutne ki kabhi chestha ki…? Tumhare paas to shaktiya thi, unn shaktiyo ki madad se tum satya kya hai ye dekh sakti thi…lekin tumne dusro ke kahne par vishwash kiya.

Guruji (gusse me)—maharaj apki ye rajkumari…parilok to kya kisi bhi lok ki maharani hone ke yogya nahi hai…main pari lok ka aaj tyag karta hu..aur tapasya ke liye ja raha hu..aap apne lok ke liye dusra guru talash kar le.

Guruji gusse me vaha se chle gaye…raj tilak ka karya kram sthagit karne ki ghosna maharaj karne hi ja rahe the ki sonalika vaha bhi aa gayi aur abhiman ke chalte usne khud ko pari lok ki maharani ghosit kar diya.

Maharaj aur maharani santaan moh ke aage vivash ho gaye….kintu raj tilak ke liye sonalika jaise hi singhasan par baithne ko huyi vaise hi singhasan ne usko utha kar pari lok se bahar phenk diya.

Ussi samay yaha adii ke upar hamla hua aur vaha singhasan aur raj mukut adrishya ho gaye…unke adrishya hote hi pari lok me andhakar chha gaya…ye andhakar chhate hi Tamraj Kilwish ki azadi ka marg prashast ho gaya.

Pari lok me singhasan dwara thukraye jane aur phir andhera vyapt hote hi sonalika ko kuch kuch sandeh hone laga usne apni shaktiyo ki madad se adii ka sach janne ki koshish ki aur sach pata chalte hi uske antar aatma me bahut gahra aaghat laga.

Sonalika (mann me)—Ye maine kya anarth kar diya….? Jiski mujhe pooja karni chahiye thi maine uska hi apman kar diya …yaha tak ki kitne ghinone aarop tak laga diye…aaj meri galti ki vajah se vo jivit nahi rahe….dhikkar hai mere jeevan par.

Sonalika apne kritya se dukhi ho kar pachtane lagi…kintu ab bahut der ho chuki thi…iss dukh se dukhi ho kar vo kamjor hoti chali gayi aur aaj ki iss halat me pahuch gayi.

Flashback End

Aaiye ab chal kar tanik dekhte hain ki Jhinga Lala aur Damdami Mayi ke beech koun si khichdi pak rahi hai….

(Update Size : 2323 words)
 
Well-known member
3,825
7,366
143

UPDATE—94

Jaykaal ne rajnandini yaani shree ki khoj ka kaam Jhingalala aur damdami mayi ko sounp diya aur jald se jald uska pata lagane ko kaha…dono apne kaam me jut gaye.

Jhingalala aur damdami mayi ki umar koyi jyada nahi thi….jhinga lala ki lagbhag 200 saal aur damdami mayi ki 180 saal…lekin vo phir bhi 25 saal ki ladki par bhi bhari thi.

Jhingalala—chalo bahut dino baad tu mujhe akele to mili….ab dono mil ke kaam karenge.

Damdami mayi—tu mujhse door hi rahna…samajh gaya na

Jhingalala—kitna jurm karti ho meri damdmi

Damdami—lagta hai teri shikayat tamraj se karni padegi…? Hame uss ladki rajnandini ko talash karna hai..usme dhyan laga apna.

Jhingalala—arey tum bhi kaha uske piche padi ho….vo apne tamraj ke hath aane wali nahi hai….rajnandini hamse jyada chalu cheez hai.

Damdami—lagta h ki tere tantra mantra me ab taqat nahi rahi jo aise darpok jaisi bate kar raha hai…?

Jhingalala—tantra mantra ka to pata nahi par tera jadu jarur asar kar raha hai mujh par..damdami jadugarni ... .rajnandini ko chhod aur aa ja hum dono udhar kone me chalte hain.

Damdami (ankhe dikhate huye)—main teri jaban khich lungi, kamine.

Jhingalala—gusse me tu na bilkul sunny Leon lagti hai..damdami

Damdami—ab ye sunny Leon koun hai….?

Jhingalala—sunny leon uaha bharat ki heroine hai…are uske charche to shaitan lok tak me hote hain…aur tum sunny leon ko nahi janti….?

Damdami—haan nahi janti…vaise kya khoobi hai tumhari uss sunny leon me….?

Jhingalala—sunny leon hai na…….vo sunny deol ka stri (female) roop hai….uske bhi bade bade hain….jinhe dekhne ke baad admi uthata nahi hai……admi ka uth jata hai.

Damdami—harami….main tera muh tod dungi….tujhe jadu se kutta bana dungi

Jhingalala—gussa kyo hoti ho…main to uski khoobi bata raha tha.

Damdami—main sab janti hu teri chaal….lekin mera naam bhi damdami mayi hai…tere aise kisi jhaanse me nahi aane wali..samjha…aur ab chal usko dhudhne me meri madad kar.

Jhingalala—ha..ha..chalo

Dono rajnandini ki talash me nikal pade…..Jabki dusri taraf charo dost hospital se shree ke iss tarah se achanak gayab ho jane se bahut pareshan the….charo ne faisala kiya ki vo do do ke group me shree ki talash karenge aur apne kaam me jut gaye.

Aise hi ghumte huye dono ja rahe the ki tabhi unki nazar nangu aur gangu par padi....vahi nangu aur gangu ne bhi inn dono ko yaha dekh kar chounk gaye.

Jhingalala (chounk kar)—ye nanga punga yaha kya kar rahe hain…..?

Damdami—ye jarur rajnandini ke sath aaye honge….kahi usne inn dono ko hamara bhed to lene nahi bheja yaha…?

Jhingalala—tab to hame inn par nazar rakhni chahiye.

Damdami—haa…yahi sahi rahega….tum inn par nazar rakho, main rajnandini ko talash karti hu.

Damdami dusri disha me rajnandini ki khoj me nikal gayi….nangu aur pangu inn dono ko dekh kar gahan chintan me kho gaye.

Nangu—ye dono yaha kaise….?

Pangu—kahi inn dono ne hi to shree ko gayab nahi kiya….?

Nangu—mujhe bhi aisa hi lag raha hai.

Jhingalala—main inse kyo darr raha hu…main tantrik hu…abhi ja kar inhe sabak sikhata hu.

Pangu (darte huye)—arey yaar vo idhar hi aa raha hai…ab kya kare….?

Nangu—mere dimag me ek idea hai….tu jaldi se yaha jitni bhi janwaro ki haddiya hain unko ekattha kar ke le aa.

Pangu ne aas pas me padi kuch haddiyo ko samet kar le aaya aur phir dono jhingalala ki oor pith kar ke baith gaye jhingalala jaise hi unke paas pahucha vaise hi nangu jor jor se kahne laga.

Nangu (jor se)—wah…pangu..maza aa gaya..aaj to shaitan lok ke tantrik ka maans khane me maza aa gaya.

Pangu—kaash ki ek aur tantrik mil jaye shaitan lok ka to main bhi usko maar ke kha jau.

Jhingalala (mann me)—ye to tantrik ka maans kha rahe hain vo bhi shaitan lok ke….jarur rajnandini ne inhe shaktiya di hogi….ye meri hi khoj me aaye honge ..mujhe maar kar khane ke liye…dono ki pith meri taraf hai.. achcha mouka hai, chup chap yaha se jaan bacha kar nikal leta hu.

Jhingalala vaha se tezi se bhag kar damdami mayi ke paas aa gaya aur usko sari baate kah sunayi...jise sunne ke baad damdami usko bhala bura sunane lagi.

Damdami—kisi kaam ke nahi ho tum....kayar kahi ke....chalo mere sath main abhi unhe maza chakhati hu.

Nangu pangu ab nishchint ho gaye the ki jhingalala bhag gaya unki tarkib se....lekin jab usko phir se ab ki bar damdami mayi ke sath aate dekha to dono ki jaan sukhne lagi.

Pangu—ye to phir aa gaya aur sath me dyne ko bhi le aaya....lagta hai ki aaj hamari mout pakki hai.

Nangu—darr to ab mujhe bhi lag raha hai...phir bhi chal ek baar phir vahi tarkib karte hain...agar koi fayda hua to theek nahi to marna pakka hai hi.

Damdami aur jhinga lala dono nangu pangu ke karib pahuchte hi unki baate sun kar vahi ruk gaye aur unki baato ko dhyan se sunne lage.

Nangu—yaar...ye ladki bhi na kitna time lagati hai hai....apni mantra shakti se maine ek ladki ko damdami mayi ke roop me koi tantrik ko pakad kar lane bheja tha...abhi tak nahi aayi....bahut bhukh lagi hai.

Pangu—yaar suna hai ki yaha shaitan lok se tantrik jhinga lala aaya hai....tum chinta mat karo...vo jarur kisi na kisi tarah se jhinga lala ko yaha le hi ayegi....phir hum dono usko maar ke khayenge...hehehehe

Ye sunte hi jhinga lala kaamp gaya aur usne jaldi jaldi damdami mayi ko char paanch baar utha utha ke patka aur phir vaha se bhag khada hua....damdami gusse me jhinga lala ke piche piche bhag gayi.

Vahi dusri taraf guru vishwamitra adirishi ko yuddh shiksha dene me nirantar tatpar the…..use subh brmha muhurt me hi utha diya jata tha.

Uss samay vyayam aur oonche oonche ubad khabad pahado par doudte huye tezi running ki training di jati thi… uske baad ashtra shastra chalane ka abhyas karaya jata tha….kabhi kabhi adii shararate bhi kar diya karta tha, jo baki logo ke liye bhari pad jata tha.

Aise hi uss ashram me ek rishi the damnak….unki ladki ka naam radha tha….vo chori chori adii ko nitya prati din yuddh abhyas karte huye dekhti thi aur shayad mann hi mann adii se prem bhi karne lagi thi.

Damnak rishi ki ek gaay thi jiska naam vaise to damini tha….uska doodh atyant meetha amrit sadrash lagta tha pine me….adii ke liye dono prahar uska hi doodh pine ke liye aata tha.

Lekin adii usko (cow) pyar se radha kahta tha…halanki usko ye pata nahi tha ki damnak rishi ki putri ka naam bhi radha hai…issi chakkar me bawal mach gaya.

Subah kasrat kar ke lout rahe adii ko damnak ne raste se hi apne paas bula liya…uss samay vaha aur bhi shisya moujud the.

Damnak—aao putra ho gaya vyayam.

Adii—haa..munivar

Damnak—arey beti kuch pine ke liye le aana..dekho koun aaya hai…?

Radha ne jaise hi bahar jhank kar dekha to adii ko aaya dekh khush ho kar Andar se vo do glass doodh le aayi aur dono ke paas rakh diya.

Damnak—lo vats doodh piyo…sehat aur majboot banegi.

Adii—kshama kare rishivar…lekin main ye doodh nahi pi sakta.

Damnak—kyo iss doodh me koi kharabi hai…?

Adii—aisi to kuch baat nahi hai…dar asal mujhe to sirf radha (cow) ka hi doodh pina ahcha lagta hai…uska doodh mujhe pasand hai.

Ye sunte hi damnak ne jo doodh piya hi tha muh me vo furrrr kar ke bahar aa gaya….radha turant sharma kar bhitar bhag gayi….aur idhar damnak ka dimag chakrane laga….sath me baki shisya bhi chounk gaye.

Adii—vaise kitna doodh nikal aata hoga….? Radha ke doodh hain to bade bade…har ek me kam se kam paanch panch litre to nikal hi aata hoga.

Damnak (gusse me)—nikal jao yaha se….nirlajj, ashabhy, nirankush balak…isse pahle ki main tumhe apne shraap se bhasm kar du..door ho ja meri nazaro se.

Adii (chounk kar)—maine aisi kya galat baat kar di munivar jo aap achanak kroadhit ho gaye…? Mujhe to bas radha ke doodh ki tarif hi to kar raha tha.

Damnak (chillate huye)—adiii….

Adii—theek hai….main chala jata hu lekin radha ka doodh main hi piyunga.

Damnak—adiiiii…….gurudev…isko kaha se pakad laye aap…..? ye to hamara hi jan kalyan kar dega.

Damnak gusse me uth kar rishi vishwamitra se milne chale gaye…..unke jate hi radha bhagte huye adii ke piche jane lagi.

Radha—suniye...ruk jaiye...pita shri ki baat ka bura mat maniye.

Adii—ji kahiye....lekin apke pita shri ko achanak kya ho gaya tha... ?

Radha—jaise apko kuch pata hi na ho... ?

Adii—sach me mujhe nahi pata…main to ab tak hairan hu.

Radha (sharmate huye)—aap ek baap ke samne uski beti ke baare me aisi baate karenge to vo gussa hi honge na.

Adii—beti ke baare me….? ….(kuch soch kar)—apka naam kya hai….?

Radha—radha

Adii (full shocked)—kyaaaaaaaa……?

Idhar dharti lok me agni, khatra aur chitra ke sath urmila se milne ja rahi thi….raste me chitra ne agni ko vo jagah dikhayi jaha par adii ke upar hamla hua tha.

Agni doudte huye adhir ho kar uss jagah aa gayi aur jaha adii khada tha uss jagah ki mitti ko pranam kar ke apne mathe aur maang me laga liya….khatra aur chitra, agni ki aisi pati bhakti dekh kar nat mastak ho gaye.

Kuch samay vaha rukne ke baad vo jaise hi chalne ko huye to unki nazare kisi ko dekh kar buri tarah se chounk gayi.

Teeno (chounk kar)—shreeeeeeeeee……..‼
 
Well-known member
3,825
7,366
143

UPDATE-95


Idhar dharti lok me agni, khatra aur chitra ke sath urmila se milne ja rahi thi….raste me chitra ne agni ko vo jagah dikhayi jaha par adii ke upar hamla hua tha.

Agni doudte huye adhir ho kar uss jagah aa gayi aur jaha adii khada tha uss jagah ki mitti ko pranam kar ke apne mathe aur maang me laga liya….khatra aur chitra, agni ki aisi pati bhakti dekh kar nat mastak ho gaye.

Kuch samay vaha rukne ke baad vo jaise hi chalne ko huye to unki nazare kisi ko dekh kar buri tarah se chounk gayi.

Teeno (chounk kar)—shreeeeeeeeee……..‼

Ab Aage…….

Khatra (khushi se)—shree malkin bhi jinda hain…malkin hame mil gayi.

Chitra—lekin yaha kyo aayi ye…?

Agni—shayad aadi ki talash me.... ? lekin aaj shree ke chehre par itna tez kaisa hai…? Ek alag hi chamak dikhi usme mujhe….shree ke chehre par theek vaisa hi soundarya jhalak raha hai jaisa ki kanak rishi ne rajnandini ka bataya tha.

Chitra—ye baat to jarur hairan karne wali hai….shree to vaise bahut sundar pahle se hi hai kintu aaj uski sundarta chaand ko bhi phika kar rahi hai.

Khatra—chalo unko bhi malik ke jinda hone ki khush khubari dete hain…sab shree malkin ko jinda dekh kar bahut khush honge.

Chitra—hmmm..chalo

Sab tezi se shree ki taraf jane lage jo udhar hi aa rahi thi…lekin ye kya shree to unke bagal se aise nikal gayi jaise ki usne inn logo ko dekha hi na ho ya phir jaan bujh kar na pahchana ho.

Agni (shocked)—shree ne hame pahchana kyo nahi….?

Chitra—vahi soch kar to main bhi hairan hu.

Agni (jor se)—shree…ruk jao

Khatra—ruk jaiye malkin…..

Chitra—shree ruk jaooo……aadii jinda haiiiii

Jaha shree khatra aur agni ki baato ko ansuna kar ke aage chali ja rahi thi vahi chitra ki baat sunte hi uske kadam jaha ke taha ruk gaye…vo chounk ke palat kar teeno ko dekhne lagi…asal me jise vo shree samajh rahe the vo shree nahi balki rajnandini thi.

Khatra—malkin aap nahi janti ki apko jivit dekh kar mujhe kitna harsh ho raha hai….aap achanak uss khayi me girne ke baad kaha gayab ho gayi thi…?

Chitra—haan..shree apko pareshan hone ki jarurat nahi hai…..adii jinda hai….kanak rishi ne sab bata diya hai adii ke bare me.

Rajnandini (mann me)—yaha to aur koi bhi nahi hai mere alawa….to phir ye log mujhe shree ke naam se kyo pukar rahe hain….? Main to inn logo ko nahi janti….par ye log adii ko kaise jante hain…?

Agni—aise hairani se kya dekh rahi ho shree... ? main agni hu..kya mujhe bhul gayi... ?

Rajnandini (mann me)—agni ke baare me to rajguru ne bataya tha...to kya ye vahi agni hai... ? aur kya sach me mera rishi jinda hai.... ?

Itna sochte hi uski ankho me nami utar aayi...akhir usne kitne hi varsho se jiske aane ki pratiksha me raaho me ankhe bichhaye baithi thi shayad vo shubh ghadi jaldi hi aane wali hai.

Rajnandini (bhavuk ho kar)—kaha hai vo..... ? mujhe uske paas le chalo..

Agni—vo iss samay brahmarishi vishwamitra ke paas kisi agyant jagah par shiksha grahan kar rahe hain.

Rajnandini (vyakul)—aap ka bahut bahut shukriya...main unhe khoj lungi

Agni—tum unhe kaha talash karogi shree…hame unki pratiksha karni chahiye…jaldi hi vo loutenge.

Rajnandini (adhirta purvak)—ab mujhse aur intazar nahi hota...sadiyo se to to pratiksha hi karti aa rahi hu.

Teeno (chounk kar)—sadiyo se..... ?

Agni—kahi aap…….rajnandini……..?

Rajnandini (chounk kar)—tumhe mera naam kaise malum……?

Agni—kanak rishi ne mujhe aap ke baare me sab bata diya hai….aaj main dhanya ho gayi….aaj mujhe aap jaisi prem ki pratimurti ke darshan prapt ho hi gaye…mera jivan safal ho gaya….aap ka prem dhanya hai didi…..kya main apko didi bula sakti hu….? Mujhe apne charno me thodi si jagah de do…jindgi bhar daasi ban ke aap dono ki sewa karungi.

Rajnandini—ye tum kya kah rahi ho agni…main to khud unke prem ki daasi hu…bhala ek daasi kisi aur ko daasi kaise bana sakti hai…tum mujhe jarur didi kah sakti ho agni.

Rajnandini ne aage badh kar agni ko apne gale se laga liya…dono hi iss samay behad bhavuk ho gayi thi…un dono ko dekh kar chitra aur khatra ki ankhe bhi aisa nishchal pyar dekh kar dabdaba uthi.

Khatra—malkin main malik ka sewak khatra jinn hu.

Agni (shocked)—kyaaa jinn….?

Khatra—haa…choti malkin…..main ek jinn hu…aur chitra ek chudail….ye hamara vastavik roop nahi hai….

Agni (shock)—chu…..chudaillllllllll

Khatra—ji chhoti malkin..chitra ek chudail hai…..aaaaa….maar dala

Chitra (gusse se)—khabardar jo mujhe phir se chudail bola to.

Khatra—mujhe kyo patak diya tune...ab chudail ko chudail nahi bolu to kya bolu.... ?

Chitra (gusse se)—mujhe bhi choti malkin bola kar..samjha

Khatra (shocked)—kyaaaa.... ? kya tu aur malkin....kahi tera dimag to kharab nahi hai... ? tu ek chudail hai...chudail

Chitra (gusse me)—ab main tujhe nahi chhodungi..ruk..abhi batati hu tujhe.

Chitra phir se khatra se ladne lagi...rajnandini ne dono ko alag kar ke chitra ko kisi tarah shant kiya....phir chitra ne apne baare me sab bataya jise sun kar sab ko dukh laga.

Rajnandini—tum bhi mujhe apni didi kah sakti ho chitra.

Chitra (khush)—sach

Rajnandini—hmmm ...sach me tumhare sath bahut bura hua hai chitra….

Agni—ab ghar chalte hain didi…maa ji ki tabiyat bahut kharab hai…jab se vo gaye hain tabhi se vo coma me hain.

Khatra—haa malkin….malik ne maa ji ki jimmedari mujhe di thi lekin main unki suraksha nahi kar paya…

Rajnandini—theek hai chalo.

Sab rajnandini ke sath urmila ko dekhne ke liye nikal gaye…..udhar nangu pangu damdami aur jhinga lala se apni pahchan chhupane ke liye nakli dadhi moonchh laga kar shree ki talash karne lage.

Har jagah talash karne ke baad bhi jab shree ka koi pata nahi chala to unhone dusre city me ja kar dhoodne ki soch kar train me sawar ho gaye dusri city jane ke liye….

Badkismati se Ussi dibbe me jhinga lala bhi rajnandini ki talash karte huye aa tapka aur nangu pangu ke samne wali seat me baith gaya.

Nangu (dhire se)—arey yaar ye to yaha bhi aa gaya…kahi pahchan to nahi liya isne hame…?

Pangu (kanafusi karte)—lagta hai ki hamari mout pakki hai….jarur isne pahchan liya hoga…picha hi nahi chhod raha hai ye sala tantrik…

Tabhi uss dibbe me hariyana ka ek choudhary aaya aur apni moonchho par taav deta hua ek sardar ji ke bagal me baith gaya...nangu aur pangu me ek dusre ki oor dekhte huye ankho hi ankho me kuch ishara kiya...aur dhire dhire aise baat karne lage ki jisse jhinga lala ko sunayi de jaye.

Nangu—yaar maine suna hai ki moonchho wale admi ke samne usko dikha dikha ke taav do aur kisi sardar se ye puch lo ki barah baj gaye kya to har manovanchhit ichchha poori ho jati hai.

Ye sunte hi jhinga lala ke kaan khade ho gaye...vo mann hi mann me behad khush ho gaya ki rajnandini ko vo ab talash kar lega agar aisa kar diya to.

Bas phir kya tha, mann me ye suvichar aate hi usne uss choudhary ko dikhate huye apni safachat mooncho par taav dene lag gaya....ye dekh kar choudhary ko gussa a gaya..vo apni jagah se utha aur jhinga lala ke gaalo par jad diye kas ke do thappad.

Choudhary—sale bina kheti ke hi hal chala riya hai tu...

Jhinga lala (gaal sahlate huye mann me)—isne mujhe mara kyo... ? ab isse nahi puchunga.....uss sardar se puchta hu...vo achcha admi lagta hai.

Jhinga lala (sardar se)—oye...sardar ....barah baj gaye kya..... ?

Uske itna puchte hi sardar ji ne aav dekha na taav jhinga lala ko teen char baar utha utha ke patak diya....jhinga lala dard se bilbilane laga.

Sardar—sale khotya nu...tere ko main manmohan singh lagta hu jo chup rahunga.

Jhinga lala (mann me)—aaaa….salo ne maar dala…..kaha hain vo dono….unke idea ki aisi ki taisi…..abhi unn dono ko sabak sikhata hu.

Jhinga lala unn dono (nangu aur pangu) ko sabak sikhane ke liye gusse me muda to chounk gaya kyon ki jhinga lala ki pitayi shuru hote hi dono mouka dekh kar vaha se khisak chuke the.

Vahi dusri jagah adii ne jaise hi suna ki damnak rishi ki ladki ka naam radha hai to vo chounk gaya...usko damnak ke gussa hone ka karan pata lag gaya tha.

Adii (shocked)—tumhara naam radha haiiii….?

Radha (laaz se)—hmmm….aap ne pita ji se aise kyo kaha mere bare me…?

Adii (mann me)—yaar ye to bahut badi gadbad ho gayi…..main to radha unki cow (gaay) ko bolta hu aur uske doodh pine ki baat kar raha tha…par ye to kuch aur hi samajh rahi hai…..inn ladkiyo ne to mera hi kalyan kar rakha hai......badi mushkil se unn sabse picha chhuta tha, ye ek aur aa gayi.....pahle vo munish ne jan kalyan jan kalyan kar kar ke mera kalyan kar diya….ab pata nahi guru vishwamitra mujhse koun sa jan kalyan karwana chahte hain... ?

Radha adii ki taraf dekhti mushkurati aur phir nazare jhuka leti.....tabhi vaha ek shisya aa gaya aur bataya ki adii ko guru vishwamitra ne bulaya hai turant.

Shisya—adii tumhe gurudev ne turant bulaya hai.

Adii—kyo koi khas kaam hai kya.... ?

Shisya—kaam ka to pata nahi lekin damnak rishi jarur bahut gusse me lag rahe the.

Adii—chal beta …ho gaya tera jan kalyan aaj to…‼
 
Well-known member
3,825
7,366
143

CHAMATKAR
UPDATE-96



Radha adii ki taraf dekhti mushkurati aur phir nazare jhuka leti.....tabhi vaha ek shisya aa gaya aur bataya ki adii ko guru vishwamitra ne bulaya hai turant.

Shisya—adii tumhe gurudev ne turant bulaya hai.

Adii—kyo koi khas kaam hai kya.... ?

Shisya—kaam ka to pata nahi lekin damnak rishi jarur bahut gusse me lag rahe the.

Adii—chal beta …ho gaya tera jan kalyan aaj to…‼

Ab Aage……

Ashram me ek kutiya ke andar guru vishwamitra apne aasan par baithe huye the…unke samne hi dmnak rishi aur kuch shisya khade huye the.

Idhar adii ashram jate huye aaj ki ghatna par soch me kho gaya…ussi samay uski jagah rishi ne le li…..vo shisya usko gurudev ke paas le gaya.

Rishi—pranam gurudev

Vishwamitra—kalayanamastu

Rishi—pranam rishi damnak

Uske pranam karte hi ashirwad dene ki jagah damnak rishi ki bhrakuti tedhi ho gayi…..ankho se chingariya nikalne lagi….poora chehra gusse se tamtama gaya.

Rishi—kya baat hai rishivar..aap ne koi ashirwad nahi diya….?

Damnak (gusse me)—ashirwad usko diya jata hai jo uske layak ho….kisi dusht aur papi ko nahi.

Rishi—koun dusht aur koun papi….? Aap kahna kya chahte hain.... ? aur maine apke sath kya hai jo aap ne aise kaha... ?

Damnak (gusse me)—achcha tumne to bada achcha kaam kiya hai.....dekh liya aap ne gurudev iss dusht ko...aap jise jan kalyan karne ki shiksha de rahe the, aur ye dusht koun sa jan kalyan kar raha hai... ?

Vishwamitra—shant vats damnak shant.....main baat karta hu.....(rishi ki oor mud kar)—vats damnak ja kahna hai ki tumne inki putri ke liye bahut hi abhadra shabdo ka uchcharan kiya hai , unke samne....kya ye satya hai..... ?

Rishi (chounk kar)—kyaaaaa.....abhadra vyavhar aur maine...vo bhi inke samne inki putri ke liye.... ? main to inki putri ko janta tak nahi hu....ye sab mithya aarop hai mere upar.

Damnak (chillate huye)—dusht…..kitna jaldi girgit ki tarah rang badal liya….mere samne meri hi putri ke liye ashobhniya shabdo ka sambodhan karne ke uparant ab .ulta mujhe hi mithya chari kah raha hai….gurudev iss papi ko kathor dand dijiye…ye iss ashram me rahne yogya nahi hai…yaha aur bhi rishiyo ke pariwar rahte hain…aaj isne meri beti ke sath aisa kiya hai kal kisi aur ke sath karega….agar ye raha to pata nahi kis kis ka kalyan kar dega.

Rishi (jor se)—rishi damnak.… tanik hosh me rah kar baat kariye…..iss tarah ka ghranit aarop mere upar lagate huye aap ko jara bhi lajja nahi aa rahi….?

Damnak (tilmilate huye)—achcha main jhuth bol raha hu.... ? to kya ye sab shisya bhi jhuthe hain, jinke samne tumne meri putri ke liye apshabd kahe hain... ? bahut bada jhootha hai ye gurudev.

Rishi (kroadh me)—rishi damnak....main kabhi asatya nahi bolta, chahe mere sar par mout hi kyon na mandra rahi ho..tab bhi main satya hi bolta hu.

Damnak (chillate huye)—dusht aur kitna jhuth bolega....tu hum sabko, itne saare logo ko kah raha ki sab ke sab jhuth bol rahe hain... ? aur tu satyavadi raja harishchandra ban raha hai....gurudev aap isko dandit kariye...aur bahar nikaliye yaha se iss jhuthe ko.

Rishi—gurudev ye aarop niradhar aur galat hai.

Vishwamitra—shant.....vats kya tum abhi kuch der pahle damnak ke paas gaye the.... ?

Rishi—nahi to gurudev....main to aaj tak inke ashram me nahi gaya…main to raat se abhi so kar utha hu aur sidhe apke paas chala aaya…main inse aaj to kya balki kabhi nahi mila.

Rishi ki baat sun kar damnak poori tarah se chounk kar aag babula ho gaya.....vo kabhi rishi ko to kabhi baki shisyo ki oor dekhta....baki shisya bhi hairan the.

Damnak (hairani se)—ohhh...bhagwan... ! kitna jhuth bolta hai re ye ladka....milne ke baad bhi kahta hai ki kabhi nahi mila....

Rishi—gurudev kya apko bhi mujh par sandeh hai.... ?

Vishwamitra—nahi vats...tum to kabhi jhuth bol hi nahi sakte.

Damnak (shocked)—gurudev.. ! to kya main jhuth bol raha hu.... ? ye kal ke aaye chhokre par apko vishwash hai aur meri baato par nahi…?

Guru vishwamitra ne apni ankhe band kar ke saare ghatna kram ko dekha aaj jo kuch ghatit hua tha….unke chehre par ek rahasyamayi mushkan tairne lagi aur unhone ankhe khol kar dono ko samjhane lage.

Vishwamitra (mushkurate huye)—satya kabhi kabhi sab ke liye ek jaisa nahi hota hai…..jo ek ke liye satya hota hai kintu vahi satya dusre ke liye asatya hota hai….aur jo dusre ke liye satya hota hai vo pahle wale ke liye asatya… halanki dono hi apni jagah par satya hain.

Rishi—sun liya aap ne damnak ji…ki main jhuth nahi bolta.

Damnak—ye kaise ho sakta hai gurudev....aap ne bhi mujhe hi jhutha bana diya....isko kada dand dene ki jagah

Vishwamitra—maine jo kaha vahi satya hai vats aur isse swikar karna sikho.

Iske baad rishi gurudev ko pranam kar ke vaha se chala gaya…..damnak bhi khinn mann se apne ashram ke liye vapis chal pada lekin uske andar abhi bhi adii ke liye behad gussa bhara hua tha.

Damnak (mann me)—kitna bada jhutha aur makkar hai ye...aaj pata chal gaya....isne gurudev ko bhi apne jhuthe jaal me phansa liya hai tabhi to gurudev ne bhi usko hi sahi thahra diya.....ab to main usko apne ashram ke aas paas bhi nahi bhatakne dunga.

Ek shisya—kaha koun si chinta me kho gaye damnak ji... ?

Damnak—tum log bhi jara savdhan rahna.....apni patni aur putriyo ko uss jhuthe se door hi rakhna....nahi to pata nahi vo adharmi jan kalyan ke bahane kahi tum logo ka bhi kalyan na kar de... ?

Vo shisya bhi damnak ki baat se chinta grast ho gaye.... Tabhi damnak ko dekh kar ashram ke hi ek shisya ne awaz de kar rukne ko kaha aur phir unke paas aa gaya.

Damnak—kya hua, tumne hame roka kyo.... ?

Vo shisya—mujhe bhi apke ashram hi jana tha, apko jate huye dekha to socha ki kyo na apke sath hi chala chalu.

Damnak—mere ashram...par main to yahi hu tumhare samne....khair chalo..vaise koi kaam tha kya mujhse... ?

Shisya—mujhe aap se nahi radha bitiya se kaam tha...vo kya hai ki adii ke doodh pine ka samay ho gaya hai to vahi lene apke ashram radha bitiya ke paas ja raha tha.

Bas kya tha..itna sunna tha ki damnak ne aav dekha na taav…bin mousam barsat ki tarah uss bechare ko dhona shuru kar diya…uski dekha dekhi uske sath ke baki shisya bhi isme shamil ho gaye.

Vahi dharti lok me charo ke raat se ghar vapis na loutne par chuttad ki biwi saroj kafi pareshan thi...usne iss bare me pangu ki biwi deepa se baat karne ke liye uske flat me jane ka vichar kiya aur kapde change karne lagi... murugan (tota) ye sab dekh raha tha.

Murugan—utar do…utar do…ye bhi utar do…yaha mere alawa koi nahi dekhega.

Saroj—bada hi badatmeez tota hai ye….chal tu bahar chal yaha se.

Saroj usko lekar pinjra sahit haal me aa gayi..tabhi door bell ring huyi to usne dekha ki deepa khud uske paas aa gayi thi.

Murugan—wow...aaj to mast maal lag rahi ho tum bhi.

Deepa—kya bola..sale harami….saroj ye kya musibat pal li tune.

Saroj—main to khud hi isse pareshan ho gayi hu.

Deepa—arey yaar tumhare vo aaye kya….?

Saroj—nahi..main khud tumhare paas pata karne hi aa rahi thi.

Murugan—kahi kisi gutter ki nali me apna muh kala kar rahe honge dono.

Deepa—shut up bastard..kuch bhi bolta hai.

Saroj—usko chhod….yaar kyo na hum inke office ja kar inki jasusi kare…pata to chale ki akhir ye charo karte kya hain aur kaha gayab rahte hain….?

Deepa—haaan…ye sahi rahega.

Saroj—to chalo phir.

Deepa—apni is musibat ko bhi le chal….raste me kisi ko bech denge.

Saroj—sahi kaha tumne.

Saroj ne pinjra utha ke deepa ke sath office ke liye nikal gayi…..raste me jab vo auto me ja rahi thi to auto wale ko vo tota bahut pasand aaya.

Auto wala—bahan ji ye tota to bahut hi sundar hai.

Deepa (turant)—haan…bahut sundar hai bahut chatur bhi hai ye….lekin hum isko bechna chahte hain.

Auto wala—kyo…?

Saroj—vo kya hai ki hamare ghar me billi roj aati hai iske chakkar me aur doodh pi jati hai.

Deepa—vaise ye tota kamal ka hai….ye har bhasa me baat kar leta hai…chahe to kuch bhi puch ke dekh lo.

Auto wala (mann me)—agar sach me aisa hua to mere vaare nyare ho jayenge…..main ye auto chalane ka kaam chhod kar iske jariye logo ko unka jhutha future bata bata kar khoob paise kamaunga…phir bhi isse kuch puch ke dekh leta hu ki inki baat sahi bhi hai ki nahi.

Auto wala (murugan se)—tum koun ho….?

Murugan—main tota hu.

Auto wala (khush)—who are you….?

Murugan—I am a parrot.

Auto wala (bahut khush)—tu ke haub…?

Murugan (khisiya kar)—tohri maayi ke dulha haeee….tohra bujhat nayikhe eke batiya ko ber ber bataye.

Auto wala (shocked)—ye to bada hi badatmeez tota hai…..isko le gaya to ye to ulta mujhe logo ke juto se pitwa dega….ohhh ab samjha ye dono isko kyon bechna chahti hain…..?

Deepa—kya hua bhai..le lo bahut badhiya hai….iski kabhi kabhi mazak karne ki aadat hai.

Auto wala—maaf karna bahan ji…ye aap ke hi yaha rahne layak hai…ye lijiye aa gaya apka stop.

Dono mayus hokar auto se utar ke office ke liye chal padi jo ki samne hi tha…..vahi rajnandini aur agni ko lekar khatra evam chitra hospital pahuch gayi.

Iss samay vaha anand ke alawa aur koi nahi tha urmila ke paas….khatra aur chitra ke sath jab usne agni ko dekha to chounk gaya…lekin jaise hi uski nazar rajnandini par gayi to vo usko shree samajh kar ashcharya aur hairangi se chair se girte girte bacha.

Theek ussi samay megha aur ajeet bhi urmila se milne hospital ke liye nikal pade….
 
Well-known member
3,825
7,366
143

UPDATE-97


Dono mayus hokar auto se utar ke office ke liye chal padi jo ki samne hi tha…..vahi rajnandini aur agni ko lekar khatra evam chitra hospital pahuch gayi.

Iss samay vaha anand ke alawa aur koi nahi tha urmila ke paas….khatra aur chitra ke sath jab usne agni ko dekha to chounk gaya…lekin jaise hi uski nazar rajnandini par gayi to vo usko shree samajh kar ashcharya aur hairangi se chair se girte girte bacha.

Theek ussi samay megha aur ajeet bhi urmila se milne hospital ke liye nikal pade….

Ab Aage…….

Anand (shocked)—Shreeeeeee…….?

Agni (pair chhu kar)—Pranam pita ji

Anand (hairani se shree ko dekhte huye)—hmmm…..sada khush raho…

Rajnandini (ankho ke ishare se)—agni ye koun hain….? Kya tumhare pita ji hain….?

Agni (dhire se)—didi ye unke pita ji hain …..mera matlab hai ki apke aur mere sasur ji hain.

Rajnandini—oohhhh

Rajnandini ne apne sir par pallu dal kar turant anand ke pair chhuye…..anand ki ankhe chhalak aayi jiski kuch boonde rajnandini ke sir aur hatho par bhi ja giri….apradh bodh ke karan ashirwad ke liye muh se koi shabd nikal hi nahi raha tha….phir bhi badi mushkil se usne koshish ki.

Anand—tum hameshaaaa kkkhush raho betiii

Rajnandini ke hatho me jaise hi anand ki ankho se anshu ke katre gire to vo chounk kar khadi ho gayi aur hairanagi se unki oor dekhne lagi.

Rajnandini—ye kya….? aap ro rahe hainnn…..?

Anand—kuch nahi beti..ye khushi ke anshu hain….tum nahi janti ki tumhe jinda dekh kar mujhe kitni khushi ho rahi hai…..shayad mere upar apradho ka bojh kuch kam ho jaye.

Rajnandini (hairan ho kar mann me)—mujhe jinda dekh kar……? Lekin main to aaj pahli baar hi dharti lok me aayi hu..to inhone mujhe dekha kab…..? shayad rishi ne in logo ko bataya hoga mere vishay me…..ohhhh, rishi tum mujhe itna chahte ho….mujhe kabhi kabhi lagne lagta tha ki shayad tum apni rajnandini ko bhul gaye ho jo uski khabar bhi nahi le rahe….par tumne meri soch ko galat sabit kar diya……main bhi tumhe bahut bahut bahut pyar karti hu…

Khatra—sahab, aap chinta mat kijiye ab sab theek ho jayega.

Anand khatra se adii ke baare me puchne hi wala tha ki ....Tabhi vaha ajeet aur megha pahuch gaye….megha ki nazar ward room me ghuste hi anand par gayi to uske dil me ek tees ubhar aayi….uska dil apne bete aur shree ki yaad me tadap utha.

Ajeet uska dard samajh gaya aur usne megha ko na me ishara kiya to usne bhi anand ki taraf se nazare mod li aur urmila ki taraf badhi.

Lekin jaise hi kamre ke andar usne apne kadam rakhe vaise hi uski ankho ne shree (rajnandini) ko dekha to vo vahi par thithak kar ruk gayi.

Pahle to usne isko apni ankho ka fareb samjha aur do teen baar apni ankho ko meesa…lekin jab phir se ankhe kholi to uske samne shree hi nazar aayi.

Yahi halat ajeet ki bhi thi….dono hairani se kabhi shree ko to kabhi ek dusre ko dekh rahe the…..unki iss hairani ko anand ne door kar diya.

Anand—megha…..dekho bhagwan ne hamari sunn li…..hamari beti sahi salamat lout aayi hai.

Anand ki baat se megha aur ajeet ko ye vishwash ho gaya ki ye unki ankho ka bhram nahi hai.....unke samne unki apni beti shree hi khadi hai.

Megha (jor se chilla kar doudte huye)—meri bachchiiiiii.....

Ye ehsaas hote hi dono doud pade uski taraf aur megha ne rote huye shree ko apne hriday se chipka liya.....shree (rajnandini) ko bhi ye ehsaas bahut achcha aur apnapan jaisa laga....halanki usne megha aur ajeet ko pahchana to nahi tathapi itna to samajh hi gayi thi ki ye dono ka bhi rishi se koi na koi gahra rishta hai.

Ajeet—kaha chali gayi thi beti.....kaha kaha nahi talash kiya hamne tumhe......hamari to sab ummide hi dhumil ho chuki thi....pahle adii aur phir tumhe khone ke baad to jaise hum dono nishpran hi ho gaye the.

Megha (shree ko check karte huye)—tujhe kaha kaha chot lagi hai...dikha mujhe beti..... ? main abhi doctor ko bulati hu.

Anand—ye sab mere paapo ki saza hai....achcha hua beti jo tum sahi salamat vapis aa gayi warna main urmii ko kya muh dikhata..... ? kaise samna kar pata uski baato ka..... ? vo to bechari sach kya hai ye janti bhi nahi hai…sach pata chalne par pata nahi kya haal hoga uska…..? isse achcha to yahi hoga ki urmii ab kabhi coma se bahar hi na aaye....kyon ki sach vo bardast nahi kar payegi....pagli ne adii ke bina to jeena usne sikha hi nahi hai....ye sach uski jaan le lega.

Agni—Pita ji.....aap chinta mat kijiye....maa ji bilkul theek ho jayengi.....unka beta jinda hai.

Ajeet/anand (shocked)—kyaaaaaa......adiiiiiii jinda haiiiiii...... ?

Khatra—ji sahab.....mere malik jinda hain....

Anand aur ajeet poori tarah se chounk gaye....jabki megha jo ki shree ke check up ke liye doctor ko bulane ja rahi thi, agni ki baat sunte hi jadwat ho gayi.....use apne kano par yakin nahi hua jo usne abhi abhi suna.

Megha (palat kar turant)—kya kaha tumne abhi..... ? phir ek baar kahnaaa....

Chitra—Ye sach hai.....adii jinda hai.....unhe kuch nahi hua hai.....jaldi hi vo hamse milne ayenge..

Ajeet aur anand jaha ye khabar sunte hi hairani aur khushi se bhar gaye vahi megha ki ankho se itne saalo se bandha hua pani ka baandh phoot pada.

Megha jor se rote huye pachhad kha kar niche dhadam se gir kar achanak behosh ho gayi.....log kahte hain ki achanak dukh ki kisi khabar se logo ko heart attack aa jata hai....kintu kabhi kabhi achanak mili khushi ki khabar bhi heart attack ki vajah ban sakti hai......shayad itna bada khushi ka jhatka megha ka nazuk hriday bardast nahi kar saka.

Ajeet (chillate huye)—meghaaaaa.......doctorrrrr

Turant megha ko VIP cabin me treatment ke liye le jaya gaya......rajnandini ko to ye sab kuch samajh me nahi aa raha tha lekin vo inta avashya janti thi ki sab rishi ke marne ki khabar se bahut dukhi hain...lagbhag ek ghanta chale treatment ke baad doctors bahar aaye.

Ajeet—doctor...kaisi hai meri patni....vo theek to hai na.

Doctor—dekhiye unhe heart attack aaya hai…..ab unki halat pahle se behtar hai….lekin abhi vo behosh hain… do se teen ghante baad unhe hosh aa jayega tab ek baar check up hone ke baad aap unse mil sakte hain…she is now all right.

Ajeet—thanks doctor.

Anand (bhavuk ho kar)—dekha urmii….hamara adii jinda hai….jinda hai tumhara adiii….dekhna vo jaldi hi ayega.

Ajeet—beti..tum shayad agni ho na…..?

Agni—Ji….par aap…..?

Anand—beti ye ajeet aur megha dono adii ke asli mata pita hain…..aur ajeet, tumhari bahu hai..adii ki patni.

Anand ki baat ne ek baar phir se sabhi ko ashcharya chakit kar diya….jaha ajeet adii ki shadi hone ki baat par chakit tha to vahi baki ye sun kar ki anand aur urmila, adii ke asli maa baap nahi hain.

Agni (shocked)—ye aap kya kah rahe hain pita ji….?

Anand—yahi sach hai beti….(phir anand ne sab ko poori baat shuru se bata di)

Anand ki poori baat sunn kar jaha sabhi ko uske upar pahle to bahut gussa aaya vahi megha aur urmila ki halat aur dard ka andaza hote hi unka hriday bhi dravit ho gaya.

Ajeet (khushi se)—meri bahu....mere bete ki patni.......

Agni (pair chhu kar)—pranam….maine apko pahchana nahi tha.

Ajeet—hamesha khush raho.

Agni ke baad rajnandini ne bhi ajeet ke pair chhu kar ashirwad liya….to bhala chitra kaha piche rahne wali thi..usne bhi dono ki dekha dekhi akhir ashirwad le hi liya.

Khatra (mann me)—tune pair chhu kar ashirwad kyo liya….? Vo dono ki mere malik ki biwi hain..unki baat alag thi lekin tu ek chudail hai……aaahhhhh

Anand—kya hua khatra….? Tum achanak gir kaise gaye….kahi chot to nahi lagi.

Khatra—nahi sahab …main theek hu.

Chitra (ghurte huye mann me)—tujhse maine kaha tha na ki mujhe bhi choti malkin bola kar aur izzat kiya kar meri ab dubara yaad rakhna nahi to phir patak dungi..samjha.

Khatra (mann me)—kya musibat hai….pata nahi iss musibat ko malik ne itne din kaise jhel liya…..?

Chitra (ankhe dikhate huye)—kyaaa kahaaaa..musibat….?

Khatra (mann me)—nahi..nahi..meri maa..maine kuch nahi kaha.

Anand—ajeet, aaj main bahut khush hu…..hamara adii jinda haiii….aur hamari beti bhi lout aayi hai…..poore hospital me mithayi baato……main bhi apni sabhi company ke employees ko poore ek saal ka bonus dunga iss mahine.

Ajeet—aap sahi kahte hain bhai sahab…..aaj ka din bahut hi shubh hai…..bas urmila bhabhi aur theek ho jaye to ye khushi duguni ho jayegi.

Sabhi behad khush the…lekin ek ghatna ki taraf shayad kisi ka dhyan nahi gaya tha ki kamre me baar baar adii ke naam ka jikra hone se urmila ke jism me kuch halchal bhi huyi thi.

Ajeet turant market chala gaya...mithayi lene.…aur rajnandini ne urmila ke pair chhu kar uske sirahane baith gayi aur urmila ke hatho ko apne hatho me le liya.

Rajnandini—aap bilkul chinta mat kijiye….apka beta bahut jald ayega apke paas…unhe kuch nahi hua hai…jivit hain vo…...lagta hai apke bete ko har kisi ko intazar karwane aur taklif dene me maza aata hai….lekin ab ki baar main aisa hargij nahi hone dungi.

Agni—didi aap maa ji ko theek kar do na..

Rajnandini—nahi agni…jisne dard diya hai usko hi dawa bhi dene do…..ye dukh ke badal jaldi hi chhat jayenge…phir ek naya savera hoga.

Iss baar urmila ke sharir me kuch tezi se move ment huyi jise sabhi ne dekha….sab ke chehro par ummid ki ek kiran dikhayi dene lagi…anand jo ki vahi khada tha, ye dekhte hi khushi se doctor ke paas bhaga….doctors ne sab ko bahar bhej kar urmila ka check up kiya..lekin unhe kuch khas improvement nazar nahi aayi.

Doctor (bahar aane ke baad)—dekhiye kuch halki fulki improvement to jarur huyi lagti hai…halanki abhi to kuch nazar nahi aa raha hai….hame ummid ka daman nahi chhodna chahiye….ho sakta hai ki kuch major improvement jaldi hi dekhne ko mil jaye.

Anand—ok doctor

Ajeet ne poore hospital me mithayi batwana start kar diya tha….lagbhag do ghante baad megha bhi hosh me aa gayi aur hosh me aate hi ek baar phir se uski ankho se ganga jamuna ki jal dhara bah nikli.

Megha (rote huye)—kaha hai mera beta….? Mujhe mere rishi ke paas le chalo….uske paida hone se aaj tak meri ankhe usko dekhne ke liye taras rahi hain…..mujhe mere bete ke paas jana hai.

Ajeet—nahii megha..leti raho.

Megha bistar se uth kar bahar ki oor bhagne lagi rote rote….usko iss samay sambhalna aur samjha pana behad mushkil ho raha tha…..usne bas ek hi jid pakad li thi ki usko rishi ke paas jana hai….majburan doctors ne usko need ka injection laga kar shant kiya.

Ajeet—beti tum sab ghar chalo….kuch kha pi lo

Anand—haa beti….tum log ghar ja ke thoda fresh ho jao.

Kisi ka vaha se jane ka mann to nahi tha kintu unke baar baar kahne ke baad sabhi ghar chale gaye….poore ghar me har deewar par adii ki tasveer lagi huyi thi….ye kaam shree ka kiya hua tha.

Inn tasveero ko dekhte hi sabhi ki palake chhalak uthi….rajnandini to jaise khud ko hi bhul baithi thi….usko iss baat ka koi hosh nahi tha ki vo iss samay kaha hai, uske aas paas koun hai….usko kuch dhyan nahi rah gaya tha…vo to bas adii ki tasveero me hi kho gayi thi….uske kadam khud ba khud bina kisi ke kuch bataye hi adii ke uss room ki taraf badh gaye jaha adii ka poora saman rakha hua tha.

Kamre me rakhi har cheez jaise usko jani pahchani si lag rahi thi....vo adii ki har cheez ko bade dhyan se dekh rahi thi....khatra aur chitra bhi uske piche piche room me jane lage to agni ne unhe jane se ankho ke ishare se mana kar diya....

Kyon ki shayad usne sadiyo se dil me chhupe judayi ke dard ko rajnandini ki ankho me mahsoos kar liya tha….vah rajnandini ko iss samay ekant dena chahti thi jisse uske mann me daba dard ka gubbar kuch kam ho jaye adii ki cheezo ko apne karib dekh kar.

Rajnandini ki ankho se anshu lagatar bahte ja rahe the, par vo bilkul shant thi….har ek cheez ko uthati, usko chumti aur phir rakh kar dusri cheez dekhne lag jati.

Achanak uski nazar kapdo ke beech rakhi ek tasveer par gayi to uske sabra ka baandh toot gaya uss tasveer ko dekhte hi….ye adii ki hi tasveer thi jisme shree uske seene se lagi huyi thi….usne uss tasveer ko utha kar apne seene se chipka liya aur usko paglo ki tarah chumte huye fafak fafak kar rone lagi.

Rajnandini (rote huye)—mujhe maaf kar do rishi….kaha ho rishi….ab ye judayi mujhse sahan nahi ho rahi hai…aa jao rishi aa jao ab…ab inn saanso ka bojh mujhse nahi saha jata hai….sadiyo se to tumhare aane ki pratiksha karti aa rahi hu…ab aur kitna tadpaoge…..dil lagane ki itni bhi badi saza mat do rishi…ab to lout aao…..tumhe tumhari rajnandini ka vasta.

Aise hi rote rote raknandini, rishi ke sath bitaye huye apni pichhli yaado me khoti chali gayi.

Vahi england me margret ne raat me pahra de rahi do mahila police karmiyo ko sar me patthar patak kar jaan se maar diya aur pagal khane se bhag gayi.

Pagal khane se bhag kar vo ek baar phir se adii ke bunglow me pahuch gayi...par vaha to lock laga hua tha..... vo bunglow ke charo taraf ghum kar uske andar ghusne ka rasta khojne lagi.

Sanyog se aaj vaha se gujarte huye franklin aur daniel ne margret ko dekh liya aur turant uska picha karte huye vaha pahuch gaye.

Daniel (shocked)—margret tum.....yaha.. ?

Franklin—lagta hai ye aaj phir koi kand kar ke pagal khane se bhag aayi….?

Margret—mujhe adii se milna hai…koi usko bula do.

Daniel—par adii to marr chuka hai

Margret (daniel ki gardan pakad ke)—nahiii...adiii jinda hai....vo andar hai..apne kamre me so raha hai....(phir rote huye hath jod kar)—koi mujhe usse milne nahi deta hai.....dekho na kisi ne darwaje par lock bhi laga diya hai....adii mujhse naraz hai..main usse maafi mang lungi....bas ek baar mujhe andar chale jane do adii ke paas.

Margret ki aisi avastha aur uski dard bhari baate sun kar franklin aur daniel ki ankhe bhi bhar aayi..akhir adii unka bhi dost tha.

Franklin—par adii ke mummy papa to india chale gaye hain....yaha ab koi nahi rahta hai

Margret (hath jod kar)—to mujhe bhi india pahucha do..pls

Daniel—chal yaar india ghum hi aate hain…uncle aur aunty se bhi mil lenge…mera mann bhi bahut karta hai unke paas jane ka.

Franklin—ummm…chal to theek hai…..juliya ko bhi bula lo…aaj raat hi nikal chalte hain

Poori city me do logo ka murder kar ke margret ke pagal khane se bhagne ki khabar aag ki tarah phail gayi thi… ye jaankar franklin, juliya aur daniel ne samundra marg se margret ko sath lekar india ki oor rawana ho gaye.

Vahi dusri taraf adii guru vishwamitra se yuddh vidhya sikhte huye har roj kisi na kisi ko damnak ke ashram me bhej deta doodh lane ko.

Natiza damnak doodh ka naam sunte hi uss shisya ki jam kar dhunayi kar deta…antatah .pareshan ho kar damnak ne apni sabhi gaayo ko hi daan kar diya dusre rishi muniyo me.

Jabki radha nirantar kisi na kisi bahane se adii se milti rahti thi aur usko chhedne bhi lagi thi baat baat par…kintu adii ne uske prem prastav ko swikar nahi kiya tha ab tak.

Aaj vishwamitra shastra vidhya sikha rahe the adii ko lekin adii ka dhyan aaj kuch vichlit lag raha tha uska mann baar baar bhatak raha tha…Achanak uske seene me tez dard hona shuru ho gaya….

Vishwamitra—kya hua putra….? Tum itne vichlit kyo lag rahe ho….?

Adii—pata nahi gurudev….aaj mera mann mere vash me nahi lag raha hai…..seene me tez pida ho rahi hai… kisi ka dhundhla dhundhla sa chehra nazar aa raha hai lekin saaf nahi…jaise koi mujhe yaad kar raha hai.

Vishwamitra (mann me)—lagta hai ki aaj rajnandini ke sabra ka baandh toot gaya hai…..jaisi prabhu ki marzi…ab dono ke milan ki ghadi aa chuki hai….aur atyachariyo ke sarvanash ki.

Jabki ek anya sthan par ek ladki har kisi se azgar ka pata thikana puchte huye ghum rahi thi…..behad kroadh me thi vo…jaise ki aaj sab ko jala kar bhasm kar degi….uski kamar me ek bada sa chaku latak raha tha.

Tabhi uss ladki ke muh se azgar ka naam sun kar ek admi chounk gaya aur vaha se jane laga jaldi se..lekin uss ladki ne usko bhagte dekh liya aur turant uska picha kar ke uske samne pahuch gayi.

“Azgar kaha milega.” Uss ladki ne sakht lahze me pucha.

“Mujhe kya pata…..jungle me talash karo na ja kar…..aaaaahhhhhhhh” uss admi ne berukhi se jawab diya.

Lekin agle hi pal uss admi ke gale se ek dardnak cheekh goonj kar rah gayi…..uss ladki ne apni kamar me latke tez chaku se uski gardan ko kaat diya tha.

Aur iske baad vo aage badh gayi phir se azgar ka pata puchte huye.

(3260 words)
 
Well-known member
3,825
7,366
143

UPDATE- 98 (A)


Jabki ek anya sthan par ek ladki har kisi se azgar ka pata thikana puchte huye ghum rahi thi…..behad kroadh me thi vo…jaise ki aaj sab ko jala kar bhasm kar degi….uski kamar me ek bada sa chaku latak raha tha.

Tabhi uss ladki ke muh se azgar ka naam sun kar ek admi chounk gaya aur vaha se jane laga jaldi se..lekin uss ladki ne usko bhagte dekh liya aur turant uska picha kar ke uske samne pahuch gayi.

“Azgar kaha milega.” Uss ladki ne sakht lahze me pucha.

“Mujhe kya pata…..jungle me talash karo na ja kar…..aaaaahhhhhhhh” uss admi ne berukhi se jawab diya.

Lekin agle hi pal uss admi ke gale se ek dardnak cheekh goonj kar rah gayi…..uss ladki ne apni kamar me latke tez chaku se uski gardan ko kaat diya tha.

Aur iske baad vo aage badh gayi phir se azgar ka pata puchte huye.

Ab Aage……

Vo ladki chalte huye har raste me milne wale se azgar ke bare me puchti ja rahi thi…..tabhi kisi ki nazar uske upar gayi to vo dekhte hi chounk gaya……uss ladki ko dekh kar chounkne wala ye shakhs aur koi nahi balki damdami mayi thi.

Damdami (chounk kar)—Rajnandiniii…..!

Ji haan, ye har kisi se azgar ka pata puchne wali ye ladki aur koi nahi balki shree thi jisko ki damdami mayi ne rajnandini samajh kar dekh ke chounk gayi thi.

Damdami (mann me)—lekin ye yaha hamare malik azgar ko kyo talash kar rahi hai…..? mujhe turant jaykal ko suchna deni hogi.

Damdami ne turant ankhe band kar ke jaykal se sampark karne ki koshish ki….kuch hi der me doctor jaykal usko samne se uski taraf aata hua dikhayi diya.

Jaykal—kya hua…yaha kyo bulaya mujhe…..?

Damdami (hath se ishara karte huye)—vo dekho….tumhara shikar..

Jaykal (ishare ki taraf dekh kar chounkte huye)—rajnandiniiiii…

Damdami—haaa….iski talash karne ke liye hi to tamraj kilwish ne hame yaha bheja tha….ab main isse apne mayajaal me fasa kar kilwish ke paas le jaungi…..hahahaha

Jaykal—tum jitna asan samajh rahi ho….ye kaam utna saral nahi hai…..uske paas tumse kahi adhik shaktiya hain.. kintu ye malik ko yaha kyo khoj rahi hai…..? kisi bhi tarah se isko kuch der tak rok kar rakho….kahi jane na paye ye main abhi tamraj kilwish aur malik se se baat karta hu.

Damdami—theek hai….main abhi roop badal kar isko apne jaal me uljhati hu.

Damdami turant ek jhadi ke piche ja kar apna roop ek sundar ladki ka badal ke aa gayi aur shree ke paas jane lagi jabki jaykal ankhe band kar ke kilwish aur azgar se sampark karne me lag gaya.

Damdami (nazdik pahuch kar)—suniye….aap ko shayad maine kahi dekha hai..lekin yaad nahi aa raha hai…

Shree—to main kya karu….?

Damdami—aap bahut pareshan lag rahi hain….kya baat hai….?

Shree—tumhe isse kya matlab…..tum ho koun…..?

Damdami—main ek anath ladki hu….bas ek dushta se apni izzat bachane ki khatir yaha se vaha bhagte phir rahi hu.

Shree—to police me report kyo nahi karti ja kar uske khilaf…..?

Damdami (dukhi chehra bana ke)—police aur sarkar uska kuch nahi bigad sakti……sab usse darte hain……bahut khatarnak hai vo.

Shree—koun hai vo….?

Damdami—A..z..g..a..r……naam hai uska.

Shree (chounk kar)—kkkk…kyaaaaaa….naam bataya tumne…..?

Damdami—maine kab bataya apna naam apko…..?

Shree (usko kandhe se hilate huye)—tera nahi…..uss admi ka kya naam bataya tumne…..?

Damdami—achcha ….uska naam…‼ uska naam azgar hai……

Shree (aatur ho kar)—kkkk…kaha milega vo……? Mujhe uska kuch pata aur uska huliya batao…

Damdami—lekin aap aise khatarnak admi se kyo milna chahti hain…..?

Shree (gale me chaku lagate huye)—ye janna tumhara kaam nahi hai……bas usse ek purana hisab kitab chukta karna hai.

Damdami (darne ka natak karte huye)—ye chakuuu …….dekhiye aise admi ka koi pata thikana to nishchit hota nahi hai….kintu ek jagah avashya hai jaha maine usko kuch dino se roj aate jate dekha hai.

Shree—chal bata jaldi mujhe ki kaha hai vo jagah….?

Damdami (mann me khush hote huye)—yahi jungle ke beecho beech hai vo jagah.

Shree (hath pakad kar)—chal mere sath dikha mujhe vo jagah..

Damdami—nahii…agar usne mujhe dekh liya to meri izzat phir se khatre me pad jayegi….main nahi jaungi vaha.

Shree (shakhti se)—agar nahi jayegi to main tujhe yahi khatam kar dungi..soch le ek minute ka time hai teri zindagi aur mout ke beech me.

Damdami—theek hai..chaliye

Damdami mann hi mann me behad khush hote huye shree ko himalaya ke unn ghane junglo ke andar le jane lagi… kafi der chalne ke baad unhe ek khandhar jaisi gufa dikhayi dene lagi.

Damdami—vo jo gufa dikh rahi hai na…..yahi hai vo jagah jaha maine usko aksar aate jate dekha hai….ab mujhe jane do….maine apka kahna maan kar yaha tak aa gayi….mujhe chhod do ab.

Shree—chupchap mere sath chalti rah warna yahi kaat dungi tujhe.

Damdami—mere malik ye kaha fas gayi main……(lambi saans khich kar)….theek haiiiii chaliye

Dono chalte huye uss gufa me andar ghus gayi….jaha andhere ke siwa kuch nahi tha….phir bhi shree, damdami ka hath pakde huye aage badhti gayi.

Andar Jhingalala apna bhesh badal ke poora jaal bichha kar taiyyar tha….kyon ki yaha aane se pahle hi damdami ne apni jaduyi shakti se usko sab samjha diya tha.

Lagatar andar andhere me chalte huye unhe thodi si roshni nazar aayi to dono uss taraf hi nikal gayi …..shree vaha kisi ko dekh kar chounk gayi. …..vaha ek admi khatiya bichha kar leta hua tha

Shree (dhire se)—kya yahi hai azgar……?

Damdami—nahi….ye azgar nahi hai…..main isko nahi janti.

Shree turant chaku nikal kar Jhingalala ki gardan par laga deti hai….jhingalala hadbada kar uthne ka natak karne lagta hai.

Jhingalala—kkk….koun ho tum…..?

Shree (shakht awaz me)—teri mout…..jitna puchu utne ka bina koi hoshiyari dikhaye jawab de warna cheer ke rakh dungi.

Jhingalala—dddd…dekho tum ye theek nahi kar rahi ho……?

Shree—chupppp…..sidhi tarah se bata de ki azgar yaha kab aata hai aur kyo…..?

Jhingalala—kkkk..kyaaaa azgar.....main nahi janta.....main to khud yaha qaid hu.

Damdami—jhuth mat bol....agar tu qaid hota to tere hath pair bandhe hone chahiye the.....yaha koi nahi hai, agar tu chahta to kabhi bhi yaha se bhag sakta tha.....ab sach sach bata de.

Shree—tum sahi kahti ho.....ye kamina jhuth bol raha hai....lagta hai ki ye mere hatho se ab jarur marega.

Jhingalala—mujhe mat maro…main sab batata hu……yaha vo kisi cheez ki talash karne aata hai har roj….main nahi janta ki vo kya cheez hai…….

Damdami—to tum yaha kya ghaas chheel rahe ho….? Mujhe nahi lagta ki ye sach bol raha hai abhi bhi.

Jhingalala—main to bas ek din yaha apni biwi aur beti ke sath lakdiya kaat raha tha…tabhi joro se barish hone lagi to hum yaha chhup gaye..tabhi na jane vo kaha se aa gaya aur mujhe yaha qaid kar ke meri biwi aur beti ko na jane kaha le gaya….usne mujhe dhamki di hai ki jab tak uski cheez nahi mil jati agar maine yaha se bhagne ki koshish ki to vo unko jaan se maar dega.

Shree—ohhhh….bahut hi kamina hai ye azgar…..aane do usko…..aaj mere hatho se jinda nahi bachega.

Damdami—vo bahut khatarnak hai

Shree—kya kar lega vo….? Cheer phad dalungi usko…..?

Tabhi vaha ek dil dahla dene wali bhari khatarnak awaz goonj uthi jisko sunte hi sab thar thar kaamp uthe.

“Azgar Kab, Kis Ko Aur Kaha Nigal Jayega, Ye Koi Nahi Janta.”

Vahi dusri taraf guru vishwamitra ye jaan chuke the ki ab shayad adirishi ko apne ghar vapis jane ka sahi samay aa gaya hai…isliye unhone usko apne paas bulaya.

Vishwamitra—vats….vaise to tumhare andar sabhi yuddh koushal ki viddhye pahle se hi viddyman hain jo ki shighra hi ab tumhe smaran ho jayengi…Tathapi kuch aadhunik viddhye jo baad me viksit huyi unki shiksha maine tumhe de di hai…..Jaise jaise tum dhyan sadhna me gahrayi tak utarte jaoge vaise vaise tumhare hriday me pada ye maya ka parda ksheen hota jayega aur tumhare gyan chakshu khulte jayenge.

Adirishi—jaisi apki agya guruvar….main apki sabhi baato ka poorntah palan karunga.

Vishwamitra—main ye janta hu vats…ab tum dharti lok par prasthan karo….koi tumhari sadiyo se pratiksha kar rahi hai….jao vats uske sachche prem aur vishwash ki aaj laaz rakh lo.

Adirishi—kintu gurudev….bina guru dakshina arpan kiye bina main kaise ja sakta hu…..?

Vishwamitra—iski koi avashyakta nahi hai putra…..phir bhi agar tum mujhe guru dakshina me kuch dena hi chahte ho to mujhe ye vachan do ki kisi bhi shakti ka galat prayog nahi karoge….ye shaktiya jan kalyan karne ke nimitt hain…..Jaha tak sambhav ho sake atyachari ke badle uske atyachar ko khatam karne ka prayas karna….kintu iska ye matlab bilkul nahi hai ki tum anyay ko bardast karo….jaha bhi adharm aur anyay dikhe uska virodh karna.

Adirishi—main apko vachan deta hu guru dev…aisa hi hoga…..ab mujhe jane ki agya pradan kare….pranam

Vishwamitra—tumhara kalyan ho vats…aur ek baat putra…..jate samay radha se bhi milte jana, uske prem me koi khot nahi hai.

Adirishi—ji gurudev

Adirishi ashram se nikalte samay sabhi shisyo se gale mila…..damnak rishi bhi usse aa kar rundhe kanth se mile aur apne dwara kiye gaye kunthit vyavhar ke liye adii se kshama mangi kyon ki guruev ne unko sach se avgat kara diya tha…..adii ne unhe kshama kar diya.

Jate samay raste me use radha apni ashru poorit ankhe liye khadi mili…. radha ko dekhte hi adii ne apni dono baanhe phaila di….radha kisi pagal hirni ki bhanti doudte huye adii ki chhati se simat gayi.

Radha (rote huye)—mujhe chhod kar mat jao…..jab vapis hi jana tha to mere mann mandir me prem ka deepak jalaya hi kyo tha…? ab main apke bina nahi jee paungi…mujhe bhi apne sath le chalo.

Adirishi—pagli main kaha ja raha hu tujhe chhod kar….? Main to ja hi raha hu vapis aane ke liye….jaldi hi main apni iss dulhan ko lene vapis loutunga.

Badi mushkil se adii ne radha ko samjha bujha kar shant kiya…..jane se pahle usne radha ke komal adhro par apne prem ki mohar laga di aur usse jaldi loutne ka vada kar ke dharti lok ke liye nikal pada.
 

Top