Thriller KAYAKALP

I

Ishani

Update - 02
__________________





"Kya ho gaya hai tum sabko?" Sofe par baitha shakhs ekaek hi aavesh me aa kar lagbhag cheekh pada tha, bola___"Jisko dekho wahi ek hi zid kiye baitha hai ki shaadi nahi karna. Aakhir kuchh to is khaandaan ki maan maryaada aur izzat ka khayaal karo. Kya soch rahe honge gaanv waale hamare baare me?"

Shakhs ke dwaara kahe gaye in aaveshyukt waakyon se dring room me sannata sa chha gaya. Saamne ke sofo par kuchh ladies baithi huyi thi aur doosre sofo par ladkiya. Ladkiyo ke chehro par chattaan jaisi dradhta kaayam thi.

"Chacha ji mujhe bakhoobi khayaal hai ki is sabse log kya soch rahe honge?" Sofe par baithi ek ladki ne kaha___"Magar aap sabko main hazaar baar bata chuki hu ki meri zindagi par mera koi adhikaar nahi hai balki mera saara jeevan apne bhai raj ki suraksha ke liye samarpit hai. Mera sukh dukh jeevan maran mere bhai raj se hi hai. Aap sab bhale hi use bura samajh rahe hain lekin main jaanti hu ki wo beqasoor hai."

"Maine tumhe kitni baar kaha hai ritu ki us naaspeete ka naam aur zikra mere saamne mat kiya karo." Sofe par baithi ek aurat gusse se cheekh padi thi.
"Hairat ki baat hai chachi ji." Ritu naam ki ladki feeki muskaan ke saath kah uthi___"Aap apne hi bete ke baare me aisa kah rahi hain. Suna tha ki maa apne bachchon ki rag rag se waaqif hoti hai. Phir aapne kaise samajh liya ki aapka beta waisa ho sakta hai?"

"Main kuchh nahi sunna chaahti ritu." Aurat fir se gusse me boli___"Behtar hoga ki tum uske baare me koi baat mat karo. Doosri baat agar tumne yahi soch liya hai ki us begairat ke liye tum jeewan bhar shaadi nahi karogi to theek hai. Ab aaj ke baad koi tumse shaadi ke liye nahi kahega." Kahne ke saath hi wo aurat ek doosri ladki ki taraf palti, phir boli___"Sun liya na tumne apni badi bahan ka faisla? Ab tum ye mat kahna ki jab tak tumhaari didi shaadi nahi karegi tab tak tum bhi shaadi nahi karogi."

"Lekin chachi....." Us ladki ki baat beech me hi kaat di us aurat ne.
"Bas." Aurat ne jhatke se kaha___"Ab koi bahaana nahi sunna mujhe. Agar mujhe apni chachi ke saath saath apni maa bhi maanti ho to mera kahna bhi maano neelam. Upar wala jaanta hai ki pratima didi ke jaane ke baad maine hamesha tum dono ko apni beti hi maana hai. Tum dono ko waisa hi pyaar diya hai jaisa gudiya aur divya ko diya hai."

"Ham jaante hain chachi ji." Neelam ne sajal netron se kaha___"Aur yakeen maaniye ham isse bahut khush bhi hain ki aap jaisi maa samaan chachi hame mili hain lekin shaadi karne ki zara bhi ichchha nahi hoti. Ek hi to sachcha bhai mila tha hame aur wo bhi aaj kayi saalo se laapta hai. Ritu didi ki tarah mera bhi yahi maanna hai ki raj ne jaan boojh kar waisa kuch nahi kiya hoga. Use apni safaayi me kuchh kahne ka mauka hi nahin diya tha kisi ne. Bas jo nazar aaya usi ko sach maan kar use is haweli se nikal jaane ka hukum suna diya gaya."

"Maine kaha na ki is baare me koi baat nahi hogi." Aurat ne phir se gusse me kaha___"Mera ek hi beta hai aur wo hai shagun. Wahi is ghar ka waaris hai."

"Kal ladke waale aa rahe hain." Sahsa ek taraf sofe par baithe shakhs ne kaha___"Aur is baar agar pahle ki tarah koi naatak hua to samajh lena mujhse bura koi nahi hoga."

"Aisa kyo kah rahe hain aap?" Sahsa ek doosri aurat us aadmi se boli___"Shaadi byaah zor zabardasti par to nahi hota na? Ladka ladki ki razamandi bhi to zaroori hoti hai"
"Tum kahna kya chaahti ho karuna?" Shakhs ne naagvaari bhare bhaav se kaha___"Jo log aa rahe hain wo koi aire gaire hain kya? Are wo bhi hamaari tarah bade log hain aur oonche khaandaan se hain. Hamaari neelam beti ko apni palko par baitha kar rakhenge wo log. Ladka videsh me ek bahut badi company me naukari karta hai. Wo neelam ko apne saath hi videsh me rakhega."

"Wo sab to theek hai." Karuna ne kaha____"Lekin agar neelam ko ye rishta pasand nahi aaya ya phir usne is shaadi se inkaar kiya to aap koi zor zabardasti nahi karenge."

"Isme zor zabardasti waali koi baat hi nahi hai bhabhi." Ek anya aurat ne kaha___"Ham sab neelam ke ya kisi ke bhi dushman nahi hain balki apne hi hain aur uski bhalaayi hi chaahte hain. Abhay bhaiya ne soch samajh kar hi un logon ko iske liye bulaaya hai. Doosri baat, har ladki ko ek din shaadi karni hi padti hai. Yahi duniya ka riwaaz hai."

"Main shaadi se inkaar nahi kar rahi badi bua." Neelam ne kaha___"Meri bas ye khwaahish hai ki is sabke beech mera bhai raj bhi maujood rahe. Main uske bina kisi se shaadi nahi karna chaahti."

"Aisa kabhi nahi ho sakta." Pahli aurat ne tapaak se kaha____"Us neech insaan ke paanv is haweli ki dahleez par hargiz nahi padenge. Is liye bekaar ki khwaahish rakhne ka koi matlab nahi hai. Kal ladke waale aa rahe hain. Main ummeed karti hu ki tumhaare dwaara ab is shaadi se inkaar nahi hoga."

Itna kahne ke baad hi wo aurat sofe se uthi aur andar ki taraf chali gayi. Uske jaane ke baad dring room me phir se sannata chha gaya. Idhar neelam ke chehre par gahri udaasi ke bhaav gardish karne lage the. Paas hi ke sofe par baithi us aurat ne neelam ko apne se chhupka liya jise neelam ne badi bua kaha tha.

"Saumya, shaadi ki taiyaariya abhi se shuru kar do." Shakhs ne sannate ko cheerte huye kaha___"Neelam ki shaadi ke kuchh hi waqt baad gudiya ki shaadi bhi hogi aur uske baad divya ki. Ghar me javaan ladkiyo ke yu baithe rahne se kayi tarah ki baate sunne ko milne lagi hain. Is liye ab aur bardaast nahi kar sakte is sabko."
"Theek hai bhaiya." Saumya ne kaha___"Ham sab taiyaariya shuru kar dete hain."

Abhi saumya ne ye kaha hi tha ki neelam usse alag ho kar sofe se uthi aur upar apne kamre ki taraf daudti huyi chali gayi. Uski aankho se jhar jhar aansu bahne lage the. Uske jaate hi ritu uthi aur wo bhi uske peechhe upar ki taraf chali gayi. Un dono ko jaate dekh sabne ek gahri saans li uske baad shakhs bhi sofe se utha aur baahar ki taraf nikal gaya. Saumya aur karuna kisi soch me gum huyi nazar aane lagi thi.

¤¤¤¤¤

Ritu jab neelam ke kamre me pahuchi to neelam ko usne bed par aundhe pade rote huye paaya. Ye dekh kar usne sabse pahle kamre ka darwaza andar se kundi laga kar band kiya, uske baad wo bed ki taraf badhi. Bed ke kinaare par baith kar usne neelam ki peeth par daahine kandhe ke paas bahut hi aahista se apne haath ki hatheli ko fera.

"Neelam." Phir usne dukhi bhaav se use pukaara___"Aise mat ro meri bahan. Aakhir ye kaisa pagalpan hai?"
"Mujhe ji bhar ke ro lene dijiye didi." Neelam ne usi haalat me rote huye kaha___"Bahut samhaala khud ko magar ab aur nahi samhaal sakti main."

"Jaanti hu." Ritu ne kaha____"Magar is tarah rone se bhala faayda kya hoga chhoti? Tujhe wo karna hi padega jo wo log chaahte hain. Unka kahna bhi sahi hi hai ki jawaan ladkiyo ko kab tak ghar me baitha rakhenge? Isse log tarah tarah ki baate karne lagte hain. Khair, mujhe pata hai ki tu shaadi nahi karna chaahti magar kabhi kabhi doosro ki khushi ke liye hame apni chaahato ka gala ghontna hi padta hai."

"Uski bhi to ek seema hoti hai na didi." Neelam ek jhatke se palat kar boli thi___"Ek adna sa insaan bhala kaha tak apni chaahato ka gala ghontta rahega?"

"Jab tak ki is duniya ko ye ehsaas na ho jaye ki wo is sansaar ka sabse bada tyaagi byakti hai." Ritu ne ajeeb bhaav se kaha____"Halaanki duniya waale to aise bhi hote hain ki kabhi kisi ke baare me achchha khayaal nahi rakhna chaahte aur na hi kabhi zaahir karte hain lekin andar se unhe bhi pata hi hota hai ki vaastavikta kya hoti hai."

"Main ye sab nahi jaanti didi." Neelam bed par uth kar baith chuki thi, boli____"Main to bas itna hi samajh pa rahi hu ki ab aur mujhse bardaast nahi ho sakta. Pichhle saat saalo se khud ko samhaal ke rakha hua tha maine, magar ab nahi samhaal pa rahi. Mera apne aap par ab koi zor nahi rah gaya hai. Socha tha ki door rahugi to bhool jaaugi sab kuchh magar nahi, main galat thi didi. Kuchh bhi to nahi bhool paayi main, balki aaj to aisa aalam hai ki pahle se kayi guna zyaada mere zahan me wo sab rach bas gaya hai."

"Mohabbat aisi hi hoti hai neelam." Ritu ne ye kah kar maano dhamaka sa kiya____"Ham jinse mohabbat karne lagte hain na unhe ham marte dam tak bhool nahi sakte. Ham jitna apne pyaar ko bhulaane ki koshish karte hain wo utna hi hame yaad aata hai."

"Ka...ka..kya matlab didi??" Neelam ekdam se chaunki aur uski aawaaz ladkhada gayi. Uska rona dhona ekdam se kisi jaadu ki tarah ruk gaya tha.

"Tu kya samajhti hai chhoti?" Ritu ne neelam ki aankhon me dekhte huye kaha____"Ki mujhe kuchh pata nahi hai? Are paagal main to sharu se hi ye baat jaanti hu ki tu raj se bepanaah mohabbat karti hai. Magar jaane kyo tujhe aisa lagta hai ki main bhi raj se pyaar karti hu, is liye tune meri khaatir apni mohabbat ko kurbaan kar diya."

Ritu ki baat sun kar neelam fati fati aankho se is tarah use dekhne lagi thi jaise ritu ki gardan achaanak hi uske dhad se alag ho kar upar hawa me katthak karne lagi ho. Neelam ke mukh se koi aawaaz na nikal saki thi.

"To..to kya aap raj se py..pyaar nahi karti?" Phir neelam ne badi mushkil se himmat juta kar puchha.
"Karti hu." Ritu ne ajeeb bhaav se kahne ke saath hi apni nazro ko doosri taraf is andaaz se fera taaki neelam ko yahi lage ki wo kamre me rakhi kisi cheez ko svaabhaavik taur par dekh rahi hai, boli___"Haan neelam main raj se bahut pyaar karti hu lekin waisa pyaar nahi balki ek bhai bahan waala pyaar. Mera ye saara jeewan sirf usi ki suraksha ke liye to samarpit hai. Ye alag baat hai ki jiski suraksha ke liye maine apna ye saara jeewan saump diya hai aaj wo meri nazro se bahut door jaane kaha maujood hai."

"Agar aap raj se pyaar nahi karti hain." Neelam ne kahne ke saath hi ritu ka haath pakad kar apne sir par rakh liya, phir boli____"To yahi baat aap meri qasam kha kar phir se kahiye didi."

"Ye kya baat huyi chhoti?" Ritu andar hi andar buri tarah hadbada gayi___"Kya tujhe meri baat par yakeen nahi hai?"
"Haan nahi hai ye yakeen." Neelam ne ek jhatke se kah diya___"Aapko meri qasam kha kar kahna hi padega didi. Aapne mujhe itne saalo se dhokhe me rakha aur main ye soch kar apne raj se door rahi ki aap usse pyaar karti hain."

"Bataya na chhoti ki mohabbat aisi hi hoti hai." Ritu ne neelam ke sir se apna haath kheench kar kaha___"Main kubool karti hu ki main raj se beinteha pyaar karti hu magar meri bebasi ye hai ki main kabhi bhi apne is pyaar ka usse izhaar nahi kar sakti. Mujhe shuru se pata tha ki tu raj se pyaar karti hai is liye maine apne qadam waapas kheench liye the lekin jab tumne sonam se ye kaha tha ki tu mere liye apne pyaar ka balidaan de degi to mujhe tujh par naaz hua. Man me ye khayaal aaya ki meri chhoti bahan apni badi bahan ke liye itna bada tyaag kar rahi hai jabki waisa to mujhe karna chaahiye, kyonki main badi hu usse. Khair, is sabse dukh bhi hua ki main tujhe wo sab na karne se mana bhi nahi kar sakti thi. Us baare me kuchh kahne ka matlab tha ki saari baato ka khul jaana jo ki ek bhai bahan ke beech janme is rishte ke liye jaayaz nahi tha. Maine sab kuchh waqt par chhond diya. Raj tha hi aisa ki duniya ki koi bhi ladki us par mar mitti. Phir chaahe bhale hi wo ladki khud uski apni bahan hi kyo na ho. Mujhe is baat ka bhi pata chal gaya tha ki gudiya raj se toot toot kar pyaar karti hai lekin raj ne uske pyaar ko ye kah kar aswikaar kar diya tha ki ye galat hai. Yahi wajah thi ki gudiya raj ke saamne nahi aati thi kabhi, bas andar hi andar ghutti rahi. Doosri taraf Aasha, haan chhoti...Aasha bhi raj se pyaar karti thi lekin us bechaari ne apni chaahat ko is liye kabhi baahar nahi nikaala kyonki raj use bahan maan kar didi hi kahta tha. Lok laaj ka khayaal hi tha use ki usne andar hi andar tadapna to manjoor kar liya magar zubaan se apne dil ki baat ko baahar nahi nikalne diya. Ab tum khud bataao neelam ki itne saare log jo raj se beintehaan pyaar kar rahe the unko nazarandaaz karke main bhala kaise raj ko unse chheen leti? Sabse bada sawaal to ye bhi hai ki main use chheen bhi paati ki nahi? Raj ham sab bahno ko yakeenan behad pyaar karta hai lekin sirf bahan ke hi rishte se is liye usse apne is pyaar ke rishte ko ujaagar karne ki himmat bhala kaun kar sakta tha? Isse bhai bahan ke rishte me kitni badi daraar aa jaati iska andaaza bhi nahi lagaaya ja sakta tha. Jis raj ke paas ham badi asaani se jaa kar usse hans bol lete the us raj se apne dil ki ye sansanikhez baat bata kar kya ham waise hi maahaul banaye rakh paate? Nahin neelam, balki usse hota ye ki ham sab bahne us sabke baad usse bahut door ho jaati. Hamaare bhai bahan ke rishte me kabhi na mitne waali daraar paida ho jaati. Jitna main raj ko jaanti hu usse yahi zaahir hota tha ki wo hamaare pyaar ke is rishte ko kabhi sweekaar nahi karta."

Ritu ki baate sun kar neelam ekdam se but ban gayi thi. Use lagta to tha ki kuchh na kuchh in sabke saath zaroor hai par kya? Ye use samajh nahi aaya tha kabhi. Aasha ki zabardasti shaadi kar di gayi thi. Gudiya(Nidhi) pichhale saat saalo se khaamosh thi. Wo kisi se koi baat nahi karti thi. Ek haadse ne jaise sab kuchh tahas nahas kar diya tha.

"Aapka maamla to sabse achchha hai didi." Sahsa neelam ne kahi khoye huye se kaha___"Aapne to apna saara jeewan raj ki suraksha ke liye samarpit kar diya hai, jiski wajah se aap par koi shaadi ke liye zyada dabaav nahi daal sakta, magar mera kya? Mujhe to har haal me in logo ke dabaav me shaadi karni hi padegi. Kabhi kabhi to lagta hai ki is sabse bachne ke liye kahi door chali jaau aur phir kabhi laut kar waapas na aau ya apne is dukh bhare jeewan ka ant hi kar du."

"Aisa mat kah chhoti." Neelam ki byatha ka ehsaas hote hi ritu ki aankhe chhalak padi, boli___"Is tarah himmat mat haar pagli. Ye ek sachchaayi hai ki sansaar me insaan ko sab kuchh nahi mil jaaya karta. Saare sansaar ki daulat aur khushiya mil jaati hain lekin ek adna sa gam in sabhi cheezo par bhaari pad jaata hai aur itna kuchh mil jaane ke baad bhi hame jeewan bhar apne dard se tadpata rahta hai."

"Main ye shaadi nahi karna chaahti didi." Neelam ritu se lipat kar ro padi____"Main apne raj ki amaanat hu. Mere tan man par sirf usi ka adhikaar hai. Ise main kisi gair ko chhoone bhi nahi de sakti. Please mujhe is musibat se bacha leejiye, warna dekh lena main apni jaan de doongi."

"Ye kaisi paagalo bhari baate kar rahi hai tu?" Ritu ka dil tadap utha____"Tu samajhti kyo nahi ki aisa nahi ho sakta. Abhi to ye sab baate kisi ko pata hi nahi hain lekin agar kisi ko pata chal gayi to sach me qayamat aa jayegi. Is haweli ke darwaze to waise bhi raj ke liye band ho chuke hain aur agar ye sab kisi ko pata chal gaya to yakeen maan aage bhi aisi koi sambhawna nahi rah jayegi. Kya tu yahi chaahti hai ki hamara raj kabhi hamaare paas laut kar na aaye?"

"To main kya karu didi?" Neelam ka rona band hi nahi ho raha tha___"Mujhe yaha dhokhe se kyo bulaya in logo ne? Agar mujhe pata hota ki yaha par mujhe meri shaadi ke liye bula rahe hain to main kabhi bhi nahi aati balki mumbai me mausi ke yaha se bhi kisi aisi jagah chali jaati jaha par ye log mujhe khoj hi na paate."

"Aisa karna thik nahi hai chhoti." Ritu ne uske aansu ponchhte huye kaha____"Achchhe khaandaan ki ladki ka is tarah bhaag jaana achchhi baat nahi hoti. Doosri baat, shaadi to tujhe kisi na kisi se karni hi padegi aur agar tu ye sochti hai ki tu raj se shaadi karegi to ye sambhav hi nahi hai. Kyonki ek to raj ka khud kahi pata nahi hai, doosre wo khud aisa nahi chaahega, teesre is rishte ko ye log hi kya koi bhi sweekaar nahi karega. Is liye jab aisa kuchh ho hi nahi sakta to bekaar me aisi zid karne ka kya faayda?"

"Maine ye kab kaha didi ki main raj se shaadi karna chaahti hu?" Neelam ne kaha____"itna to mujhe bhi pata hai ki aisa nahi ho sakta. Phir bhi main is liye shaadi nahi karna chaahti kyonki main hamesha raj ki hi ban kar rahna chaahti hu. Bhale hi wo jeewan me mujhe kabhi na apnaye ya koi is rishte ko swikaar na kare. Main kisi se kahugi bhi nahi ki main raj se pyaar karti hu ya mujhe raj hi chaahiye. Main to bas ye chaahti hu ki mere tan man par kisi gair ka koi haq na bane balki ye raj ke liye hi hamesha salaamat rahe."

Neelam ki baat sun kar ritu hairat se use dekhti rah gayi. Yahi soch aur yahi bhaavna to khud uski bhi thi lekin uske paas shuru se hi ek bahana tha ki usne apna saara jeewan raj ki suraksha ke liye samarpit kar diya hai. Halaanki uski is baat se koi khush nahi tha aur na hi koi usse jyaada pratyaksh me baat karta tha. Iski vajah wo haadsa tha jo kuchh saal pahle hua tha aur raj ko haweli se hi nahi balki har cheez se bedakhal kar diya gaya tha. Yaha tak ki us par apni jaan chhidakne waali uski khud ki maa haweli me uska naam tak sunna pasand nahi karti thi.

"Kitni ajeeb baat hai na didi." Neelam ne chha gayi khaamoshi ko cheerte huye dheemi awaaz me kaha___"Ek maa jo kabhi apne bete par jaan chhidakti thi aur jiske liye zara si baat par tadap jaati thi aaj wahi maa apne usi bete ke prati patthar dil ban gayi hai. Itna hi nahi balki is haweli me wo apne bete ka zikra tak karna pasand nahi karti. Doosri taraf gudiya(Nidhi) hai jiske dil me apne hi bhai ke liye bepanaah chaahat hai, magar kisi wajah se pichhle saat saalo se wo ghut ghut kar mar rahi hai. Main hamesha ye socha karti thi ki aakhir aisi kya wajah ho sakti hai ki ek natkhat aur chulbuli si gudiya ekaek goongi ban gayi hai? Aisa kya ho gaya tha ki jis bhai ke bina wo ek pal rah nahi sakti thi wo pichhle saat saalo se usse baat karne ki to baat door balki uske saamne bhi nahi jaati. Maine usse kayi baar is baare me baat ki magar usne to jaise apne honth hi sil liye the. Aaj pata chala ki iski asal wajah kya hai. Mujhe yakeen nahi hota didi ki koi itna bhi kisi ko chaah sakta hai ki apne mahboob se door rah kar pal pal tadap to sakta hai magar ek baar apne dil ka kaha maan kar usse baat nahi kar sakta aur na hi uske saamne ja kar use dekh sakta hai. Ye kaisi mohabbat hai didi? Gudiya ke baare me ye sab jaan kar aaj mujhe aisa lag raha hai jaise ki uski chaahat ke saamne meri chaahat kuchh bhi nahi hai. Wahi ek taraf aasha didi hain, jinke dil me raaj ke liye na jaane kab se waisi hi chaahat fal phool rahi thi magar unhone bhi sirf is wajah se kabhi apne dil ka haal raj ke saamne ujaagar nahi kiya kyonki raj unhe apni badi bahan maanta hai. Hey bhagvaan! ye sab kya hai? Ye kaisi kismat banaayi hai ham sabki? Ek aise insaan ke prati hamaare dilo me athaah prem jaga diya jo kabhi hamaara ho hi nahi sakta."

Neelam ki in baato ka ritu bhala kya javaab deti? Wo khud bhi to aksar inhi savaalo ko sochte huye apni raate bistar par pade pade guzaarti aayi hai magar kabhi use apne in savaalo ke javaab nahi mile. Apne dil ko aur khud ko na jaane kitni hi baar samjhaya tha usne ki aisa na kar. Ye sab jaayaz nahi hai, magar haqeeqat har baar uske saamne nakaami ka roop liye khadi ho jaati thi.

"Aapko ek raaz ki baat bataau didi?" Neelam ne feeki si muskaan ke saath kaha____"Is mohabbat ki aag me ham sab to jal hi rah hain magar koi aur bhi tha jo jal gaya tha. Haan didi, aur wo koi aur nahi balki sonam didi thi. Pahle to unhone is baare me mujhe kuchh nahi bataaya aur na hi kabhi mujhe is baare me kuchh mahsoos hua tha. Jab mausa aur mausi zabardasti unki shaadi karne lage to shaadi waali raat vo bahut royi thi. Main ye to samajhti thi ki aisa har ladki ke saath hota hai, aur ye bhi samajhti thi ki unke is tarah rone ki vajah zabardasti shaadi karana hai. Us waqt maine unhe iske liye bahut samjhaaya bhi tha lekin unko meri baate samajh hi nahi aa rahi thi. Us wakt jab mere alaava unke kamre me koi nahi tha aur wo mandap me jaane ke liye saji sanvri baithi thi tab unhone mujhe apne dil ka ye raaz bataaya tha aur kaha tha ki wo raj se bahut pyaar karti hain. Unhone hi mujhe bataaya tha ki unke mom dad ye shaadi zabardasti kyon kar rahe hain? Darasal mausi ko ek din pata chal gaya tha ki sonam didi raj se pyaar karti hain. Ye baat unhone mausa ji ko bata diya tha. Mausa ji ye sab jaan kar bahut gussa huye the. Halaanki unhe is rishte se koi problem nahi honi chaahiye thi magar jaane kya baat thi ki wo ye sab bardaast nahi kar sake aur phir aanan faanan me hi unhone sonam didi ki shaadi ka program tay kar diya tha. Bechaari sonam didi, shaadi ke baad shuru me hee sirf ek baar wo apne mom dad ke paas aayi thi uske baad wo aaj tak nahi aayi. Shayad is liye ki unhe apne mom dad se is had tak naraazgi thi ki wo ab unke paas kabhi aana hi nahi chaahti. Maine kayi baar unse unki sasuraal waalon ka haal chaal poochha magar unhone har baar yahi kaha ki wo khush hain jabki mujhe pata hai ki wo khush nahi hongi."

"Agar ye waakayi sach hai chhoti." Ritu ne gahri saans lete hue kaha____"To yakeenan sonam ke saath bahut bura kiya mausa mausi ne. Khair, mohabbat to hoti hi aisi cheez hai jo zyadatar kisi ko naseeb hi nahi hoti aur hoti bhi unhi se hai jo kabhi uske ho hi nahi sakte."

Ritu dwaara ye sab kahne ke baad kamre me ek ajeeb si khaamoshi chha gayi. Dono bahno ke chehro par gahan socho ke bhaav gardish karte huye nazar aane lage the.

"Didi." Sahsa chha gayi khaamoshi ko neelam ne hi apni dheemi awaaz se toda.
"Hamm." kahi khoyi huyi ritu ne haami bhari
"Kya aap meri ek help karengi?" Neelam ne bhed bhare bhaav se poochha.
"He..help???" Ritu ke chehre par shikan ubhri____"kaisi help?"

"Abhi raat ka samay zyaada nahi hua hai." Neelam ne left side deevaar par lagi ghadi ki taraf ek nazar daalne ke baad kaha____"Sirf gyaarah hi baje hain."
"Haan to??" Ritu ko kuchh samajh na aaya.

"Kya aap mujhe is wakt gungun chhond sakti hain?" Neelam ne dhadakte dil se kaha___"Aap ye kar sakti hain didi. Aap ek police waali hain. Der raat ko aapka haweli se baahar jaana koi nayi baat nahi hai aur na hi koi tokne waala hai aapko. Aap cases ke silsile me aksar der raat ko yaha se chali jaaya karti hain. Is liye aap mujhe apni police gaadi se gungun railway station chhond deejiye na."

"Te tu kya kah rahi hai neelam?" Ritu buri tarah chaunki___"Kya tu yaha se waapas mumbai jaane ka soch rahi hai?"
"Iske alaawa mere paas koi doosra chaara bhi to nahi hai didi." Neelam ne dukhi bhaav se kaha____"Yaha se main mumbai zaroor jaaugi magar mausi ke paas nahi balki kisi aisi jagah jaha par meri koi khoj khabar na le sake."

"Nahi nahi." Ritu ne inkaar me sir hilate huye kaha___"Tu aisa kuchh nahi karegi. Is tarah me sab pareshaan aur dukhi ho jaayenge neelam. Gaanv samaaj ke logo ko pata chala to hamaare khandaan ki izzat mitti me mil jaayegi."

"Khandaan ki izzat mitti me to tab milegi na didi jab main kisi ke saath yaha se bhaag jaaugi." Neelam ne kaha___"Magar main to aisa kuchh kar hi nahi rahi hu balki main to aise hi yaha se ja rahi hu. Sabko pata hai ki main mumbai me apne mausa mausi ke paas rahti hu. Is liye agar waapas waha chali jaaugi to gaanv samaaj ke logo ko isse koi aapatti waali baat nahi hogi. Doosri baat unhe ye kaun batayega ki main yaha se kyon chali gayi hu?"

"Par neelam." Ritu ne kaha____"Main tujhe is tarah akele kahi bhi jaane ki ijaazat nahi de sakti. Akeli ladki par har pal koi na koi khatra bana hi rahta hai."

"Uski aap chinta mat keejiye didi." Neelam ne kaha___"Main aisi jagah ja rahi hu jaha ke baare me mujhe achchhi tarah pata hai."
"Aur yaha sabka kya?" Ritu ne kaha____"Tere is tarah gaayab ho jaane se main yaha kisi ko kya jawaab dugi?"

"Aapko kisi ko koi jawaab dene ki zaroorat hi nahi padegi didi." Neelam ne kaha___"Yaha se main aapke saath chali jaaugi lekin is beech koi ye nahi dekh sakega ki main aapke saath aapki gaadi me baith kar kahi gayi hu."

"Aisa kaise ho sakta?" Ritu ek police waali thi magar neelam ki in baato ne use hairat me daal diya tha.
"Main apne kamre ki." Neelam ne right side ki deewaar par bani ek badi si khidki ki taraf ishaara karte hue kaha____"Is khidki se main ek rassi ke sahaare neeche utar jaaugi aur phir ghoom kar aapko main haweli se door ek gali me mil jaaugi. Uske baad main aapki gaadi mein baith kar aapke saath gungun chal doogi. Kisi ko pata bhi nahi chalega ki main aapke saath kahi gayi hu. haweli ke baahar lage suraksha guards ko main baahar jaate huye dikhugi hi nahi to wo bhala kisi ko kya bata payenge ki main kab kaise yaha se nikal gayi hoon?"

"To tune soch liya hai ki tujhe yaha se abhi nikalna hai?" Ritu ne gahri saans lekar kaha____"Lekin tujhe pata nahi hai ki tere jaane ke baad yaha kaisa hangama ho sakta hai?"

"Uski mujhe koi parvaah nahi hai didi." Neelam ne kaha___"Har insaan ko apne tareeke se jeewan jeene ka haq hai. Kisi par zabardasti apni soch aur marzi thopna hargiz bhi uchit nahi hai. Unhe apne khandaan ki izzat ki padi hai to mujhe bhi apne dil ke jazbaaton ka khayaal hai. Aap bataiye ki aap meri help kar rahi hain na?"

"Theek hai chhoti." Ritu ne kaha____"Magar is baat ka hamesha khayaal rakhna ki mujhe har pal teri fikra rahegi. Is liye tu jaha bhi rahna mujhse sampark zaroor banaye rakhna."
"Ji bilkul didi." Neelam ke chehre par pahli baar raunak dikhi____"Main aapse hamesha contact banaye rakhugi."

Uske baad jaisa ki neelam ne tareeka bataaya tha waisa hi hua. Yaani neelam kahi se ek rassi dhoondh kar le aayi aur use ritu ko pakda diya. Uske baad usne apna jo kuchh behad zaroori samaan tha use ek bag me liya aur phir us rassi ko pakad kar khidki se neeche ki taraf utarne ki koshish karne lagi. Halaaki ritu ki tarah wo trained nahi thi phir bhi badi saavdhaani aur hoshiyaari se usne rassi ke sahaare neeche utarna shuru kar diya. Rassi ka pahla sira ritu ne majbooti se pakad rakha tha. Ritu ne apna balance banaye rakhne ke liye apni dono taango ko faila kar khidki ke neeche kamre ki taraf ki hi deevaar par pair jama liye the.

Kuchh hi der me ritu ko rassi par maujood tanaav poorn roop se kam mahsoos hua to wo samajh gayi ki neelam neeche utar chuki hai. Usne tasalli ke liye ek baar khidki se neeche jhaank kar dekha. Neelam andhere me khadi upar hi dekh rahi thi. Ye dekh kar ritu ne rassi apni taraf kheench li aur phir use wahi ja kar rakh aayi jaha se neelam use lekar aayi thi.

Neelam ke kamre ke khidki darwaaze ko band kar ritu apne kamre me pahuchi. Aanan faanan me usne apne kapde utaare aur phir apni police ki wardi pahan li. Sir par police cap laga kar aur baye taraf rakhe table se gaadi ki chaabhi lekar wo kamre se baahar aa gayi. Seedhiyo se neeche utar kar wo dring room se hote huye haweli ke mukhya darwaze tak aa gayi. Abhi wo mukhya darwaaze ko khol hi rahi thi ki tabhi peechhe se ek awaaz aayi jise sun kar pahle to wo ghabra kar chaunki phir normal bhaav se palti.

Peechhe se haweli ki bahut puraani naukaraani savita uske behad qareeb aa gayi thi. Usi ne ritu ko awaaz di thi. Khair usne ritu se bas itna hi poochha ki kya police station ja rahi ho bitiya? Javaab me ritu ne muskura kar haan kaha aur phir darwaza khol kar baahar nikal gayi. Haweli ke baahar lambe chaude lawn me hi ek taraf uski police ki gaadi khadi thi. Mukhya darwaze par do guard maujood the aur do guard main road ke paas lohe waale gate par andar ki taraf maujood the. Ritu ko is wakt police ki wardi me dekh kar chaaro guard mustaidi se khade ho gaye.

Ritu jab police car ko drive karti huyi lohe waale main gate ke paas pahuchi to dono guards ne gate khol diya lekin ritu un dono ke paas gaadi ko rok kar driving door ke glass se sir nikaal kar unse kaha ki wo police station ja rahi hai, sambhav hai ki aane me der ho jaye. Uski baat sun kar dono guards ne apne apne sir ko halka sa kham kiya. Ritu ki gaadi ke sabhi sheeshe neeche sarke huye the aur andar ki lights on thi. Ritu ne mahsoos kiya ki dono guards ne bade araam se uski gaadi ke andar dekha tha. Unke dvaara achchhi tarah se dekh liye jane ke baad ritu ne gaadi ko aage badha diya.

Jaisa ki neelam ne kaha tha wo sachmuch aage ki ek gali me mil gayi. Gali me andhera tha. Lohe waale gate se paar hone ke baad jab ritu ki car ek mod par mud gayi to usne car ki head light band kar di. Aisa is liye ki head light ki roshni me neelam kisi ko dikh na jaye. Halaaki aisa sambhav nahi tha kyonki gaanv ke log raat nau baje tak so jaate the, phir bhi ritu ne koi risk lena thik nahi samjha tha. Khair, neelam ke paas pahuchte hi ritu ne car roki to neelam jhat se pichhla darwaza khol kar andar apna ek chhota sa bag rakhte huye baith gayi. Neelam ke baithte hi ritu ne car ko aage badha diya.

"Train to tumhe kal hi milegi chhoti." Raaste me ritu ne khaamoshi ko todte huye kaha____"Idhar subah jab ghar waalo ko tum apne kamre me nahi dikhogi to wo yakeenan ye samajh jaayenge ki tum kadaachit waapas mumbai ke liye nikal gayi ho. Uske baad abhay chacha tumhe waapas laane ke liye fauran hi gungun apne kuchh aadmiyo ke saath ravaana ho jaayenge aur bahut had tak sambhav hai ki vo tumhe dhoondh hi lenge."

"Aisa nahi hoga didi." Neelam ne kaha___"Main raat me hi ek local train se ek doosre shahar ke liye ravaana ho jaaugi. Waha se main doosri train pakad loongi mumbai ke liye."

"Oh matlab sab kuchh pahle se hi soch rakha hai tune." Ritu ke hotho par sahsa muskaan ubhar aayi___"Chal koi baat nahi. Bas tu apna khayaal rakhna aur ho sake to us pagle ka bhi waha pata karte rahna."

"Main poori koshish karoogi didi." Neelam ne kaha___"Par mujhe nahi lagta ki wo mumbai me hai. Agar hota to itne saalo me kuchh to uske bare me pata chalta."
"Haan sahi kah rahi hai tu." Ritu uski baat se poori tarah sahmat thi____"Mujhe bhi yahi lagta hai. Halaaki maine apne kuchh khaas khabariyo ko secret roop se uski talaash me laga rakha hai. Abhi tak to unme se kisi ko bhi uske bare me kuch pata nahi chal paya hai lekin ummeed hai ki ek din zaroor uska pata chalega."

"Kya aapko lagta hai didi." Neelam ne kaha___"Ki usne naina bua ke....??"
"Is baare me mera khayaal tujhe pata to hai na.?" Ritu ne neelam ki baat ko beech me hi kaatte huye kaha___"Phir baar baar yahi sawaal kyo?"

"Wo is liye ki gauri chachi ko us sab ka yakeen kaise ho sakta hai?" Neelam ne kaha___"Wo to uski maa hain. Wo to apne bete ki rag rag se waakif hain. Phir ye sab kyon didi??"

"Is sawaal ka jawaab agar unse mil jaye." Ritu ne kaha____"To shayad sab kuchh samajh me aa jaye. Main to bas is baat se hamesha chintit rahti hu ki wo apni us haalat se kisi ko nuksaan na pahuchaye. Har waqt yahi sochti rahti hu ki jis tarah ki uski haalat thi uski vajah se us par kya guzarti hogi? Kis haal me hoga wo aur kiske sahare hoga?"

"Ishwar kare sab kuchh achchha hi ho didi." Neelam ne gahri saans li____"Khair aap mujhe chhondne ke baad kya raat me hi waapas haweli laut jaayengi?"
"Nahi chhoti." Ritu ne kaha___"Ab raat me akele lautna mumkin nahi hoga. Is liye gungun me hi apni ek saheli ke yaha ruk jaaugi."

Aisi hi baate karte huye dono bahne gungun railway station pahuch gayi. Neelam apni badi bahan se gale lag kar mili uske baad wo ek local train me savaar ho gayi. Kuchh hi der me train station se chal padi. Ritu apni bahan ko akele yu jaata dekh apni aankho ko chhalak padne se rok na saki thi. Jab train uski aankho se kaafi door chali gayi to wo palti aur plateform se baahar aa gayi. Baahar aa kar w apni police car me baithi kuchh der tak khud ke jazbaato ko kaabu karti rahi uske baad usne car ko start kiya aur apni saheli ke ghar ki taraf chal padi.


━━━━✦༺༻✦━━━━
लोग कहते है मोहब्बत में सब कुछ जायज है । लेकिन अपने ही भाई से दिल लगा लेना बिलकुल नाजायज है।
नीधि, नीलम अथवा रीतू जिस तरह से विराज को अपना सब कुछ मान बैठी है, वो बेहद ही बचकाना हरकत है उनकी और नाजायज़ भी। कल जब परिवार और रिश्तेदारों पता चलेगा । जब समाज को पता चलेगा , तब मुह छुपाने के लिए भी जगह नहीं मिलेगी । बात कड़वी है पर यहीं सच है ।

ऐसे एहसान फरामोश परिवार शायद ही कही पर हो । विराज ने कितना कुछ नहीं किया परिवार के लिए । चिराग लेके ढूंढने पर भी विराज जैसा भाई , विराज जैसा बेटा धुंध पाना नामुमकिन है ।
पुरा गुनगुन कहे के बेटा हो तो विराज जैसा । उस बेटे को परिवार से अलग थलग कर दिया गया। मुझे ये तो पता नहीं की नैना किस हाल में है। लेकिन कोई विश्वास करे या ना करे पर मुझे विराज पर पूर्ण विश्वास है , वो कभी सपने में भी गलती नहीं करेगा , जिससे की परिवार की मान मर्यादा पर सवाल उठे और उसके परिवार जो आरोप लगा रहे थे उसको सिरे से ख़ारिज करती हूँ ।
गौरी की सोच और फैसले को लेकर मुझे बेहद अफ़सोस है ।
 
I

Ishani

Update - 03
━━━━━━━━━━━━━


Aisi hi baate karte huye dono bahne gungun railway station pahuch gayi. Neelam apni badi bahan se gale lag kar mili uske baad wo ek local train me savaar ho gayi. Kuchh hi der me train station se chal padi. Ritu apni bahan ko akele yu jaata dekh apni aankho ko chhalak padne se rok na saki thi. Jab train uski aankho se kaafi door chali gayi to wo palti aur plateform se baahar aa gayi. Baahar aa kar w apni police car me baithi kuchh der tak khud ke jazbaato ko kaabu karti rahi uske baad usne car ko start kiya aur apni saheli ke ghar ki taraf chal padi.

━━━━✦༺❁༻✦━━━━


Ab Aage_____


"Kaam ho gaya hai boss." Arjun sahay ke mobile se uske kaano me ye waakya goonja____"Jaisa aapne kaha tha hamne theek waisa hi kar diya hai."
"Poori baat bataao." Arjun ke chehre par ekaek hi chamak aa gayi thi____"Is wakt kaha hai wo?"

"Hamare ek aadmi ne phone par bataya tha ki wo apne office se raat saadhe das baje nikli thi." Udhar se arjun sahaay ke kaano me kaha gaya___"Is liye hamne waisa hi kiya hai jaisa aapne plan banaya tha. Yaani office se ghar jaane ke beech me jo sunsaan raasta padta hai ham usi raaste par chhup kar uske aane ka intzaar karne lage the. Jaise hi hame door se uske car ki jalti huyi head light nazar aayi waise hi hamne beech sadak par wo kanteela taar lamba kar bichha diya tha. Kuchh hi der me uski car aayi aur us kanteele taar ke upar se guzar gayi. Jisse taar par maujood lohe ki majboot keelein uski car ke taayaro par dhans gayi aur taayar ek tez aavaaz ke saath hi panchar ho gaye. Uski car kuchh door tak unbalance ho kar lahraayi magar usne samhaal liya aur phir sadak ke kinaare rok diya. Is beech hamne jaldi se us nukeele taar ko sadak se kheench liya tha. Udhar car se utar kar us ladki ne apne mobile ki roshni me car ke pahiyon ko dekha to uski bhrikuti tan gayi. Usne gusse me zor se car ke ek pahiye me laat maari thi."

"Bas bas kitna bolta hai be." Arjun ne beech me hi udhar ki awaaz ko kaatte huye kaha___"Ab ye bata ki is wakt wo kya kar rahi hai?"
"Kuchh der tak to wo car ke baahar hi khadi idhar udhar dekhti rahi thi boss." Udhar se kaha gaya____"Uske baad usne apne mobile se kisi ko phone kiya magar phir gusse se usne mobile phone ko liye car ke andar baith gayi. Is wakt bhi wo car ke andar hi hai."

"Haan shayad usne apne dad ko phone lagaya hoga." Arjun ne sambhaavna byakt ki, bola___"Chal theek hai lakhan. Tum logo ne bahut achhe se apne kaam ko anjaam diya hai. Abhi tum log us par nazar jamaye rakhna. Ham aate hain kuchh der me."

Arjun ne kahne ke saath hi call cut kar ke mobile pocket me daala. Uske hotho par jaandaar muskaan ab bhi kaayam thi jaise usne koi bahut badi jeet haasil kar li ho. Is wakt wo apni car ki driving sheet par baitha tha. Call cut karne ke baad usne pahle kuchh palo tak kuchh socha aur phir car start kar car ko jhatke se aage badha diya. Zahen me tarah tarah ke khayaal bunate huye wo bahut hi kam waqt me us jagah pahuch gaya jis jagah par sadak ke kinaare safed rang ki ek BMW car khadi thi.

Arjun sahaay ne us car se lagbhag pachaas metar ki doori par ja kar apni car ko ronka. Shayad wo ye dikhaana chaahta tha ki uski nazar BMW car par achanak hi padi thi aur usne socha ki shayad yaha par koi kisi museebat me hai. Khair, arjun sahaay apni car ko reverse karte huye waapas us jagah aaya jaha par vo car khadi thi.

Car left side khadi thi is liye uski driving sheet arjun sahaay ki taraf hi thi lekin ek hi disha me hone ki vajah se khud arjun sahaay ki driving sheet bhi daahini taraf thi jisse wo apne left side khadi car me baithi ladki ko dekhne ke liye apni sheet se khisak kar baayi taraf aa gaya tha. Uski nazar driving sheet par bhannaayi huyi baithi ladki par padi. Udhar jaise hi us ladki ne apne paas aayi car me baithe arjun sahaay ko dekha to uske chehre ke bhaav ekdam se badal gaye.

"Are maya tum???" Arjun sahaay ne is tarah acting ki maano use maya ko is wakt yaha is tarah dekh kar badi hairaani huyi ho, bola___"Tum yaha par is wakt kyo car ronke huyi ho? Maine tumhaari car ko anayaas hi pahchaana tha, mujhe laga ki car jaani pahchaani hai is liye khud ko is taraf aane se rok na saka."

"Wo darasal meri car panchar ho gayi hai." Maya ne teekhe bhaav se kaha___"Is kameeni ko bhi abhi hi panchar hona tha. Is wakt bhala main kise bulaati ise theek karaane ke liye? Dad ko call kiya to bole ki unhe aane me do ghante lagenge kyonki wo out of town hain. Halaaki unhone hamaare ek naukar ko bhejne ke liye kaha hai."

"Naukar ko???" Arjun sahaay ne ajeeb bhaav se kaha___"Oh to iska matlab tum naukar ke saath yaha se jaaogi. Ye to had ho gayi maya. Tumhe mujhe phone karna chaahiye tha na. Aakhir tumhaara sabse achha dost hu main. Khair, chalo aao baitho meri car me aur chalo yaha se. Yaha par itne samay tumhaara akele rahna safe nahi hai."

"What do you mean safe nahi hai? Are main kya darti hu kisi se?" Maya ne pahle ki tarah hi teekhe bhaav se kaha____"Marcel art me black belt haasil kiya hai maine. Do chaar ki to main yu hi khel khel me haddiya tod dugi. Yaha se mera roz ka aana jaana hai. Abhi tak to aisa kuchh hua nahi aur agar hua bhi to mujhe khud par yakeen hai ki main apni suraksha kar lugi."

"Mujhe pata hai meri maa." Arjun ne kaha____"Lekin ab jab ki main yaha aa hi gaya hu to chalo mere saath. Main tumhe tumhare ghar chhond duga, uske baad main apne ghar chala jaauga. Tumhaara naukar kya pata kitni der me yaha aata hai? Dusri baat naukar ke saath jaana bhi tumhaari shaan ke khilaaf hi hai."

"Haan ye to tumne sahi kaha arjun." Maya ne kaha___"Aur isi baat par abhi kuchh der pahle main dad se gussa bhi huyi thi. Khair main dad ko phir se call karti hu aur unhe bata deti hu ki wo naukar ko mana kar de yaha aane ke liye. Main unhe bata deti hu ki main tumhaare saath aa rahi hu."

"Haan bilkul mana kar do tum." Arjun ne man hi man khush hote huye kaha____"Lo maine darwaza khol diya hai tum andar aa jao. Hawa tez ho rahi hai aisa lagta hai jaise baarish hogi. Aise me yaha rukna bhi theek nahi hai."

Arjun sahaay ki baat sun kar maya fauran hi driving door khol kar car se neeche utri aur phir uska gate band karke arjun ki car ke khule huye darwaze se andar aa kar arjun ke bagal se baith gayi. Arjun dekh chuka tha ki maya ne is wakt safed shirt aur neeche ek black colour ka chust sa top pahan rakha tha. Car ke andar light jal rahi thi is liye ghutno ke halka upar aur fir neeche poori taange beparda nazar aa rahi thi. Doodh jaisi gori aur chikni sapaat taango par nazar padte hi arjun ne andar hi andar ek aah si bhari. Ghutno se upar uthte huye uski nazar maya ke seene ke ubhaaro par thahar gayi. Safed shirt ke do button khule huye the is wakt jisme se uske dudhiya jism aur dono ubhaaro ke beech ki halki si daraar dikh rahi thi. Uske upar uski surahidaar gardan thi. Gulaab ki taaza khili huyi pankhudiyo jaise honth aur sheep si gahri neel si jheeli aankhe. Maya ki khubsurti ka arjun shuru se hi diwana tha.

Arjun sahaay ek behad hi ayyaas aur ladkibaaz naujawaan tha. Usne kuchh hi palo me maya ko dekh kar apni nazro ko halka sa tript kar liya tha. Uske baad usne car ko aage badha diya tha. Idhar maya apne mobile par apne dad se baat kar rahi thi.

"Ho gayi baat??" Maya ko apne kaan se mobile hataate huye dekh arjun sahaay ne ek nazar uski taraf daalne ke baad puchha tha.
"Haan maine unhe bata diya hai." Maya ne kaha____"Kah rahe the ki theek hai agar arjun saath hai to."

Uski baat sun kar arjun sahaay man hi man muskura utha tha. Arjun sahaay ka baap ajeet sahaay ne usse kaha tha ki wo maya ke ird gird hi rahe aur uska har tarah se khayaal rakhe. Chhoti chhoti baato ka khayaal rakhte huye wo uski har baat maane taaki uski nazro me uski achchhi chhavi ban jaye. Ye kaam wo abhi kuchh saalo se hi kar raha tha. Iske pahle wo paanch saal ke liye desh se baahar chala gaya tha. Darasal arjun sahaay par ek ladki ke rape ka case ban gaya tha, jiske chalte uske baap ajeet ne tikdam kar ke kisi tarah maamle ko coart tak nahi pahuchne diya tha magar isse uska nuksaan ye ho sakta tha ki uske bete ki image jagmohan singhaniya ki nazro me kharaab ho jaati. Us case ki jaankaari jagmohan ko nahi huyi thi kyonki wo us samay yaha tha hi nahi. Ajeet sahaay ne socha tha ki arjun apni javaani ke nashe me kahi aur bhi kuchh ulta seedha na kar baithe jisse uske sapne nestanaaboot ho jaaye is liye usne apne bete arjun ko kuchh saalo ke liye videsh bhej diya tha. Idhar pichhle do saal pahle hi arjun sahaay vaapas yaha aaya tha aur tab se wo apne baap ke nirdesh par maya ko apne pyaar ke jaal me fansaane ki jugat laga raha tha magar ab tak kaamyaab nahi hua tha. Halaaki maaya se uski dosti ho gayi thi lekin ye sirf dosti hi thi. Isse aage badhne ki himmat arjun sahaay kar hi nahi pa raha tha. Iski wajah ye thi ki maya bahut hi garam mizaaj ladki thi. Use pyaar vyaar jaisi baate bakvaas lagti thi. Uska poora focus apne dad ke business par tha. Doosri baat apni khubsurati ka aur paiso ka ghamand bhi tha use jiske chalte wo arjun sahaay jaise third class waale ladke par waisi nazar hi nahi daalna pasand karti thi. Uski ek hi soch thi ki duniya ki har cheez uske qadmo me ho. Dimaag kaafi tez tha uska. Jab se usne apne dad ke business me apna haath rakha tha tab se business me kaafi jyaada tarakki huyi thi. Dheere dheere aisa hota gaya ki company ke har kaam me uska hi faisla hone laga. Agar uske faisle par koyi savaal khada karta to phir use uske khatarnaak gusse ka bhi saamna karna padta tha. Suna to ye bhi gaya tha ki usne company ke kayi aise employees ko jhannatedaar thappad jad kar company se out kar diya tha. Isse company ka to koyi nuksaan nahi hua lekin uske kayi dushman zaroor ban gaye the. Jagmohan singhaniya ko apni beti ki kaabiliyat par andhadhundh naaz tha. Wo khud bhi kabhi apni beti ke faislo par koi aapatti nahi jataata tha. Use pata tha ki uski beti ka har faisla aur har plan hamesha sateek aur perfect saabit hota tha.

Maya ek aisi ladki thi jiske kirdaar ko itna jaldi koi samajh bhi nahi paata tha. Iska kaaran ye tha ki use kisi ki baat kab aur kaise buri lag jaye aur use kab gussa aa jaye kisi ko koi andaaza nahi hota tha. Doosri important baat ye thi ki uski soorat aisi thi ki pahli nazar me koi ye yakeen hi nahi kar sakta tha ki ye itni gusse waali ya khatarnaak ladki ho sakti hai. Uske chehre ki masoomiyat in cheezon ka mahaj apvaad thi.

Kuchh hi der me arjun sahaay ki car ruki. Car ke rukte hi maya darwaza khol kar car se neeche utar gayi. Uske baad usne arjun ki taraf dekh kar haath hilaaya aur phir bina kuchh kahe apne shaandaar bangle ke andar ki taraf badhti chali gayi. Uske yu chale jaane par arjun ko gussa to bahut aaya lekin phir usne use jazb kiya aur car ko aage badha kar waapas main sadak ki taraf badha diya.

Arjun sahaay jab apne ghar pahucha aur dring room me daakhil hua to uski nazar sofe par baithe apne baap ajeet sahaay par padi. Wo use dekh kar bola to kuchh nahi bas ja kar khud bhi ek sofe par baith gaya. Ajeet sahaay ne sir ghuma kar apne bete ki taraf dekha. Anubhavi ajeet sahaay turant taad gaya ki uska beta is wakt gusse me hai.

"Kya baat hai barkhurdaar?" Ajeet sahaay ne muskuraate huye pucha____"Chehare par itna gussa kis baat par kaayam kiye ho? Kisi se koi baatcheet ho gayi hai kya? Agar aisa hai to yakeenan ye achha nahi hai. Tumhaari image kharaab hone ka matlab hai ki sab kuchh bigad jaana."

"Aisi koi baat nahi hai dad." Arjun ne kheejhate huye kaha___"Wo saali do take ki ladki samajhti kya hai apne aapko?"
"Are! kya hua beta?" Aeet sahaay ekdam se uski taraf ghoom kar baith gaya, phir chintit bhaav se bola___"Kis ladki ki baat kar rahe ho tum? Kahi tum maya ki baat to nahi kar rahe?"

"Haan dad." Arjun ne apne baap ki taraf dekha___"Main usi magroor ladki ki baat kar raha hu."
"Are par aisa kya ho gaya hai?" Ajeet sahaay ki dhadkane tez ho gayi thi___"Jisse tum aisa kah rahe ho?"

Arjun ne apne baap ko saara kissa suna diya. Usne bataaya ki kaise usne maya ko andhere sunsaan raaste se uski car ke panchar ho jaane par lift di aur phir use uske ghar chhod kar abhi yaha aaya hai. Usne ye baat poori tarah se chhupa li ki uski hi kartoot se maya ki car panchar ki gayi thi.

"Itni help karne ke baad bhi dekhiye dad." Saari baate bataane ke baad arjun ne kaha___"Us magroor ladki ne mujhe thanks tak nahi kaha. Yaani ki use lagta hi nahi hai ki maine use surakshit ghar pahucha kar uski kitni badi help ki hai."

"Wo aisi hi hai beta." Ajeet sahaay bete ke gusse ki vajah ko samajhte huye bola____"Uski is baat par itna gussa karna achhi baat nahi hai. Tumhe ye samajhna chaahiye ki dudhaaru gaay ki laat maar sab sahni padti hai tabhi hame rasdaar doodh milta hai. Khair, tum chinta mat karo. Maya ne tumhaara dhanyavaad nahi kiya to kya hua main tumhaari ye baat badha chadha kar singhaniya ko zaroor bataauga aur aise andaaz me bataauga ki uski nazar me tumhaari image zero se hero waali ban jaye. Waise bhi tumhe kuchh aisa karte rahna hai jisse singhaniya ko lagne lage ki maya ke liye tumse achha ladka doosra koi ho hi nahi sakta. Ek baar, bas ek baar aisa ho jaye phir dekhna aage ka program settle karne me zyada waqt nahi lagega."

"Ye tedhi medhi baate meri samajh me nahi aati dad." Arjun ne kaha___"Maine to bas aapki vajah se khud ko roka hua hai warna mera to ek hi rule hai ki jo cheez pasand aa jaye use kuchh bhi kar ke haasil kar lo aur phir uska ras nichod kar use kachre ki tarah fenk do."

"Tumhaara ye rule nihaayat hi ghatiya kism ka hai mere bete." Ajeet sahaay andar hi andar tilmila gaya tha, bola___"Apne isi rule ki wajah se tum musibato me fanste ho aur phir tumhe un musibato se nikaalne ke liye mujhe jaane kitne paapad belne padte hain. Main ye nahi kahta ki tum apni khwaahisho ko maar do balki main sirf ye kahna chaahta hu ki tum apna tareeka badlo aur thoda dimaag se bhi kaam lo. Ek baat hamesha yaad rakho ki bure insaan ko koi bhi shareef aadmi ehmiyat nahi deta balki wo us bure insaan se saari umar door hi rahne ki koshish karta hai. Aise byakti se koi apni ladki ki shaadi karne ke baare me khwaab me bhi nahi soch sakta. Is liye beta, sab kuchh karo magar is prakaar se ki wo kisi ki bhi nazar me ya jaankaari me na aa sake."

Ajeet sahaay ki in baato ka arjun ne koi javaab nahi diya balki sir neecha kiye shoonya me ghoorta raha jabki apne bete ki is chuppi aur avastha ko dekhte huye ajeet sahaay pahle to kuchh pal chup raha phir usne ek gahri saans li.

"Meri baato ka bura mat maanna beta." Ajeet sahaay ne santulit lahje se kaha___"Main ye jo kuchh bhi kah raha hu yakeen maano isi me mera aur tumhaara bhavishya ek ujjval bhavishya banega. Hame apna har kaam bade dhairya se aur badi hoshiyaari se karna hai. Chhoti chhoti baato par yu gussa karne se bani banaayi baat bigad jaayegi. Hame tab tak unke saamne jhuke rahna hai ya unse dabe rahna hai jab tak ki wakt aur halaat hamaare haq me nahi aa jaate. Tum samajh rahe ho na meri baat??"

"Ya..yes dad." Arjun ne dheeme swar me kaha___"Main poori koshish karuga ki meri vajah se maamla bigadne na paye."
"Very good." Ajeet sahaay khush hote huye bola___"Ek baat aur, pyaar mohabbat me badi taaqat hoti hai aur uska asar bhi bahut hota hai. Apne character ko thoda saaf banaao aur maya ke aage peechhe rahte huye uske liye aise aise kaam karo ki use tumhaare har kaam par kuchh khaas nazar aaye aur phir use ehsaas hone lage ki tum uske liye kitne important ho? Har ladki ki yahi tamanna hoti hai beta ki use jeevan me ek aisa saathi mile jo use bahut pyaar kare. Uski har khwaahish ko pal me poori kar de aur uska har tarah se khayaal kare. Jab tum is tarah ki cheeze uske liye karte huye use dikhaaoge to use ek na ek din zaroor ehsaas hoga ki tum hi wo saathi ho jo har ladki ki tamannaao me shumaar hota hai. Main maanta hu wo ladki bahut hi zyaada magroor aur ziddi hai aur vo apne standard ke neeche waalon ki taraf dekhna bhi pasand nahi karti hai lekin ye bhi to socho ki pahle me aur ab me kitna fark hua hai. Pahle wo tumhaari taraf dekhti tak nahi thi, jabki aaj usse tumhaari dosti ho chuki hai. Mujhe poora yakeen hai bete ki der se hi sahi magar wo din bhi zaroor aayega jab ye dosti pyaar me badal jayegi. Uske baad to maya khud hi apne baap se kahegi ki wo tumse shaadi karna chaahti hai. Uska baap uske faisle ko kabhi aswikaar nahi kar paayega kyonki use apni beti ke character ka bakhubi pata hai."

Arjun sahaay apne baap ki in saari baato ko bade gaur se sun raha tha. Ye baat to wo khud bhi maanta tha ki pahle me aur ab me bahut fark aa gaya tha. Is liye use apne baap ki baanki baato par bhi yakeen tha. Usne man hi man soch liya ki ab wo waisa hi karega jaisa uske baap ne kaha hai. Jaane kya soch kar ekaek hi uske hotho par badi jaandaar muskaan ubhar aayi. Ajeet sahaay uske hotho par ubhri us muskaan ko dekh kar samajh gaya ki uska beta ab waisa hi karne ki poori koshish karega jaisa usne use samjhaaya hai.

□□□□□

Samandar ke kinaare chattaan par baithe shakhs ki jab sharaab ki bottle poori khaali ho gayi to use khayaal aaya ab use yaha se jaana chaahiye. Halaaki is ekaant se uska jaane ka zara bhi man nahi kar raha tha lekin phir bhi jaane kya soch kar wo utha aur apne haath me li huyi khaali bottle ko samudar ki lahro ki taraf uchhaal diya. Uske baad wo palta aur waapas apni car ki taraf chal diya. Hairat ki baat thi ki uski chaal me ab bhi koi ladkhadaahat nahi thi.

Car ki driving sheet par baith kar usne apne paint ki pocket se mobile nikaala aur usme ek button daba kar screen on ki to pata chala ki wafa naam se bayalees miss call pade the aur chaar messages bhi the. Aisa pahli baar hua tha ki uske mobile par wafa ne message bheja tha. Ye dekh kar shakhs ne mobile ko saamne dash board ki taraf rakhne ke liye haath badhaaya lekin phir jaane kya soch kar waapas kheench liya. Usne fir se screen ko on kiya aur aaye huye messages par click kiya to message box open ho gaya. Un chaaro hi messages me alag alag waakya likhe huye the.

Un chaaro waakyo ko usne padha aur phir mobile ko dash board me rakh diya. Kuchh der jaane kya sochta raha, uske baad usne car start ki aur jhatke se car ko yu turn dete huye aage dauda diya. Kuchh hi samay me wo usi ghar me pahuch gaya jaha se iske pahle wo nikal kar chala gaya tha. Mukhya darwaze ko itni raat me khula paaya to wo halke se chaunka.

Darwaze ko khol kar wo fauran hi andar daakhil hua aur darwaze ko andar se band kar ke tezi se andar ki taraf badha. Is beech usne mobile ki torch ko on kar liya tha taaki andhere me aage badhne par use koi pareshaani na ho. Tezi se chalte huye wo apne kamre ke darwaze ke paas pahucha. Abhi wo darwaze ke andar jaane ke liye apna daahina qadam badhana hi chaaha tha ki sahsa ruk gaya. Mobile torch ki roshni farsh par padi huyi thi jisme wo ladki darwaze ke bagal waali diwaar ke sahaare hi baithi nazar aa rahi thi. Uski dono taange seedhi thi jabki dono haath agal bagal farsh par jame huye the.

Shakhs ne torch ka focus ladki ke chehre ki taraf kiya to use ek taraf sir kiye soya paaya. Daahine haath ki hantheli me ek chhota sa mobile thama hua nazar aaya. Ye sab dekh kar us shakhs ke chehre par kuchh pal ke liye peeda ke bhaav numaaya huye phir jaise usne khud ko samhaal liya. Kuchh der tak wo apni jagah par khada use dekhta raha phir wo palat kar doosri taraf chal diya. Kuchh hi palo me wo ek doosre kamre me tha.

Doosre kamre ki light jala kar wo vaapas apne kamre me aaya aur phir jhuk kar usne apne ek haath ko neeche se ladki ke ghutno ke thoda upar aur doosre haath se ladki ko uski peeth se samhaalte huye utha liya. Apni baaho me us ladki ko liye wo doosre kamre me aaya aur aahista se ladki ko uske bed par lita diya. Is beech ladki ke hotho se ek hi waakya nikal raha tha___"Khuda ke liye mujhe chhond kar mat jaao."

Bed par litane ke baad shakhs seedha hua hi tha ki usne dekha ki bed par padi wo ladki kunmunaayi aur phir shaant ho gayi. Shayad gahri neend me thee wo. Shakhs ne uske pairo ke paas padi chaadar ko us par uske seene tak kheench kar dhank diya. Iske baad wo palta aur kamre ki light band karne ke baad kamre se baahar aakar usne darwaza dhulka diya aur phir apne kamre ki taraf badh gaya.

Apne kamre ki light jala kar usne darwaza band kiya aur bed par aakar dhamm se let gaya. Itni raat ho jaane ke baad bhi uski aankho me neend ka koi naamo nishaan nahi tha. Hairaani ki baat ye bhi thi ki us par sharaab ka nasha zara bhi samajh me nahi aa raha tha jabki usne do do bottle sharaab paani ki tarah pi gaya tha. Iske pahle bhi usne piya raha hoga to wo alag baat thi.

Night bulb ki roshni me wo chhat par ghoom rahe pankhe ko ghoore ja raha tha jaise waheen par kahi use apne ateet ka koi hissa kisi film ki tarah dikh raha tha.


Flashback______

Use aisa lag raha tha jaise koi zor zor se chilla raha tha aur saath hi use pakad kar hila bhi raha tha lekin kisi ke chillaane ki awaaz use bahut door se sunaayi deti prateet ho rahi thi. Chetna jaagrit to ho gayi thi lekin poori tarah nahi. Sochne samajhne ki shakti ne abhi poori tarah kaam karna shuru nahi kiya tha. Kaafi der tak jab uske kaano me kisi ke chillaane ki awaaz aati rahi aur use kisi ke dwaara buri tarah hilaaya dulaaya jaata raha to jaise usme kahi se praano ka sanchaar hua tha.

Zahen ne thoda sa kaam kiya jiske parinaam swaroop usne badi mushkil se apni aankho ko kholne ki koshish ki thi. Halki khuli aankho se use kuchh nazar na aaya tha lekin is beech jism me tez peeda ka ehsaas zaroor hua. Uske mukh se dard bhari karaah nikli aur phir jaise punah uski chetna lupt hoti chali gayi thi. Uske baad kya hua use kuchh bhi pata na chal saka tha.

Dubaara jab uski chetna jaagrit huyi to is baar aalam pahle jaisa nahi tha, balki is baar use pahle se kaafi zyaada araam aur sukoon sa mahsoos ho raha tha. Mastishk jaagrit hua to uske man me ekaek hi kayi saari baate aur ghatnaaye bijli ki speed se daudne lagi. Jiska nateeja ye hua ki ekaek hi uske chehre par gahri peeda ke bhaav ubhar aaye. Usne patt se apni dono aankhe khol li.

Aankhe khulte hi pahle to use kuchh samajh na aaya, phir usne idhar udhar nazar ghuma kar dekha to chaunk gaya tha. Use yaad aaya ki jab aakhiri baar wo behosh hua tha tab wo kisi car me tha aur kuchh log use majbooti se pakad rakhe the. Us wakt uske andar bhayankar gussa aakrosh aur jism me maujood naso me daudta lahu kisi khaulte huye paani ki tarah ubaal maar raha tha. Wo buri tarah cheekh raha tha aur khud ko unse chhudaane ki ji tod koshish kar raha tha. Use kuchh bhi pata nahi tha ki car me maujood log jo use majbooti se pakde huye the wo use kaha le ja rahe the? Ekaek hi use apni ek baanh me koi nukeeli cheez chubhti mahsoos huyi aur phir uska poora jism sunn sa padta chala gaya tha. Kuchh der baad use aisa mahsoos hua jaise wo kisi thos cheez se takraaya ho aur phir use kuchh bhi yaad nahi rah gaya tha. Uske baad fir ab use hosh aaya tha aur pata chala ki wo kisi pakke makaan ke ek aise kamre me leta hua hai jaha par safed roshni ka tez prakaash hai. Aas paas deevaar me kuchh tasveere lagi thi. Ek taraf ek aalmaari rakhi thi aur doosri taraf ek do plastik ki kursiya rakhi thi.

Kuchh der tak wo lete lete hi ye sab dekhta raha uske baad wo araam se uth kar baith gaya. Use samajh nahi aa raha tha ki ye kaun si jagah hai aur yaha par wo kaise aa gaya hai? Kamre me uske alaava doosra koi nahi tha. Ek madhyam size ke bed par wo uth kar baith gaya tha aur chaaro taraf nazre ghuma raha tha.

Kamre me ek darwaza tha jo band tha. Har taraf ka muaayna karne ke baad sahsa wo khud ki taraf dekhne laga. Is wakt uske jism par koi kapda nahi tha, yaani ki upar se wo nanga hi tha. Ye dekh kar uske chehre par pahle to buri tarah chaunkne ke bhaav ubhre phir sahsa aise bhaav ubhar aaye jaise samajhne ki koshish kar raha ho ki aisa kaise ho sakta hai? Ekaek hi usne apne pet se neeche ki taraf dhanke ek chaddar ko dono haatho se pakda aur phir use apne se aage ki taraf halke se kheencha. Wo dekhna chaahta tha ki jis tarah wo kamar se upar nanga hai to kya usi tarah kamar ke nichle bhaag se bhi nanga hai?

Apni ajeeb haalat par uljhe huye jab uski nazar apne kachhe par padi to uske chehre par raahat ke bhaav ubhar aaye. Ab uske saamne sabse bada sawaal ye khada ho gaya tha ki wo yaha kaise tha aur uske kapde kisne uske badan se alag kiye hain? Abhi wo in sab sawaalo me hi uljha tha ki tabhi kamre ke baahar se do insaano ki awaaz sunaayi di use. Wo ye awaaz sun kar pahle to chaunka phir jaane kya soch kar wo bed par let gaya aur apni aankhe band kar li.

Kuch hi palo me kamre ka darwaza khula aur do byakti kamre ke andar daakhil huye. Un do byaktiyo me ek mard tha jo ki safed coat pahne huye tha. Yakeenan wo byakti doctor tha, jabki doosri ek ladki thi. Ladki samaanya kad kaathi ki hi thi lekin behad sundar nazar aa raha thi. Uske khoobsoorat se badan par salawaar shoot tha aur gale me lipta hua dupatta. Sir ke lambe baalo ki ek lambi si chonti thi jo ki uske hips ke neeche tak jhool rahi thi.

Kamre me aate hi un dono ki nazar bed par pade us byakti par padi thi. Un dono ne pahle uski taraf gaur se dekha phir ek doosre ki taraf dekhne lage.

"Ab tak to is shakhs ko hosh aa jaana chaahiye tha miss wafa." Doctor ne bed par lete shakhs ko dekhne ke baad wafa naam ki us khubsurat ladki se mukhaatib ho kar kaha tha____"Jaisa ki aapne bataaya tha ki aapko ye parson raat ko sadak ke kinaare gambheer haalat me mila tha. Main abhi bhi hairaan hu ki aapne ek ajnabi ke liye itna bada kaam kiya. Kahne ka matlab ye ki raat ke lagbhag gyaarah baje sunsaan jagah par aapne apni car ronki aur phir is shakhs ki haalat ko dekh kar ise apne ghar le aayi. Halaaki aap ise hospital bhi le ja sakti thi magar aapne aisa nahi kiya."

"Karne ko to aur bhi ek cheez thi doctor sahab." Wafa ne kaha___"Jo ki maine nahi kiya tha. Darasal maine jab inhe us haalat me dekha tha to mujhe laga ki zaroor inke kisi dushman ne inki wo haalat ki thi. Pahle to maine inhe hosh me laane ki khud badi koshish ki thi magar jab ye hosh me nahi aaye to maine inhe badi mushkil se apni car me pichhli sheet par litaaya tha aur phir yaha apne ghar le aayi thi. Uske baad maine aapko phone kiya aur aapse guzaarish ki ke aap us wakt jald se jald aa jaaye. Inhe hospital na le jaane ki ek thos wajah ye bhi thi ki maine aksar filmo me dekha hai ki dushman ko jab pata chal jaata hai ki unhone jisko jaan se maar diya tha wo abhi zida hai aur kisi hospital me uska ilaaz chal raha hai to wo log fauran us hospital me pahuch kar uski phir se jaan lene ki koshish karte hain. Yahi wajah is baat par bhi thi ki maine police ko phone karke inke baare me ittala nahi di thi. Mujhe laga kahi filmo ki tarah police bhi inke un dushmano se na mili huyi ho."

"Main bakhubi samajhta hu miss wafa." Doctor ke hotho par halki si muskaan ubhar aayi___"Ki aapne jo kuchh bhi kiya is shakhs ki suraksha ki drishti se kiya hai. Main ye bhi samajh sakta hu ki is sabke peechhe aapki neeyat me koi khot nahi tha lekin haan samaanya byakti ke liye ye ek bada hi vichitra kaam ho jaata hai. Samaanya aadmi is baat ko asaani se hajam nahi kar paata ki ek ladki ne kisi ajnabi ki is tareeke se jaan bachaayi."

"Mujhe kisi ki parvaah nahi hai doctor sahab." Wafa ne kaha____"Bas main kisi bhi byakti ko taqleef me nahi dekh sakti. Mere dwaara agar kisi ka bhala hota hai to main uska bhala karne ki poori koshish karti hu."

"Kamaal ki soch hai aapki." Doctor ne kaha aur phir muskuraate huye bed ki taraf badha. Kuchh der tak shakhs ke chehre ko gaur se dekhta raha uske baad wo punah muskuraaya aur phir palat kar wafa se kaha____"Inhe hosh aa chuka hai miss wafa."

"Ka..kya sach mein????" Wafa naam ki us ladki ke chehre par khushi ki chamak fail gayi, fauran hi qareeb aa kar usne apni aankho se bed par pade shakhs ki taraf dekha usne lekin shakhs ki aankhe band dekh usne sawaaliya nazro se doctor ki taraf dekha.

"Hello young man." Doctor ne wafa ki sawaaliya nazro ko dekhne ke baad seedha bed par pade shakhs ki taraf jhukte huye kaha tha___"Mujhe pata hai ki tum hosh me aa chuke ho aur ye achhi baat bhi hai lekin......"

Doctor lekin bolne ke baad ruk gaya tha kyonki tabhi bed par pade shakhs ne apni aankhe khol di thi, saath hi doctor ki taraf ajeeb bhaav se dekhne laga tha. Doctor uski taraf kuchh der tak dekhta raha.

"Okay, are you feeling better??" Fir doctor ne usi position me us shakhs se puchha lekin uske puchhne par shakhs ne koi response na diya tha. Kahne ka matlab ye ki doctor to doctor khud wafa ne bhi us shakhs se kayi baar puchha aur kayi sawaal kiye magar us shakhs ne un dono se kuchh bhi nahi kaha, balki wo ek tak shoonya me ghoorta raha tha.

Thak haar kar dono hi kamre se baahar aa gaye aur phir doctor ne ek kaagaz par kuchh likha aur use wafa ke haath me pakda diya. Kuchh aur zaroori baate bata kar doctor chala gaya. Dopahar ke wakt chaar byakti aaye the jo ki hospital ke karmchaari hi lagte the. Unhone us shakhs ko badi safaayi se ek injection lagaaya tha jiska asar hote hi wo shakhs behosh ho gaya tha. Uske baad use yaad nahi ki uske saath kya kya hua.

Hospital me raat ke wakt us shakhs ne tahalka sa macha diya tha. Paaglo ki tarah harkate kar raha tha. Uska poora jism laal surkh pad gaya tha. Aadhi raat ke wakt poore hospital me cheekho pukaar ka aalam ho gaya tha. Badi mushkil se doctor ne us shakhs ko ek injection laga kar behosh kiya tha. Puchhne par pata chala tha ki jis din us shakhs ko hospital laaya gaya tha usi raat lagbhag ek baje ek nurse nireekshan ke liye uske ward me gayi thi. Nurse ne dekha ki shakhs ka chehra paseene paseene ho rakha tha aur uske mukh se ajeeb si awaaze nikal rahi thi. Nurse ye sab dekh kar pahle to chaunki thi phir usne apne ek haath se shakhs ke maathe par ye dekhne ke liye haath rakha tha ki kahi use bukhaar to nahi aa gaya hai? Abhi uske maathe par haath rakhe paanch second hi huye the ki shakhs ne patt se aankhe khol di thi. Uske baad usne nurse ki tara dekha aur phir ekaek hi wo nurse par jhapat pada tha. Us par ekdam se wahshiyat taari ho gayi thi.

Apne upar ekdam se aa gayi is bhayankar museebat ko dekh kar wo nurse buri tarah cheekhne chillaane lagi thi. Dekhte hi dekhte nurse ki wo chillaane ki awaaze dard bhari cheekho me badal gayi thi. Us shakhs ne nurse ke kapdo ko nonchna faadna shuri kar diya tha aur use apne bed par patak kar uske upar chadha baitha tha. Hospital me mache is shor gul ka nateeja ye hua ki kuchh hi der me hospital ke kuchh karmachaari aur doctor bhaagte huye is taraf aa gaye the. Uske baad badi mushkil se us shakhs par kaabu paaya gaya tha. Doctor ne shakhs ko behoshi ka ek injection laga diya tha.

Us haadse ke ek maheene baad doctor ne wafa se kaha tha ki wo shakhs unke kisi bhi sawaal ka jawaab nahi de raha hai. Wo ekdam se goonga sa ho gaya hai, ya phir aisa ho sakta hai ki wo sach me goonga hi ho. Uski medical report ke baare me jab doctor ne wafa ko bataaya to report sun kar wafa ke pairo ke neeche se zameen khisak gayi thi. Uske samuche jism me ek ajeeb si jhurjhuri huyi thi.

Doctor ne wafa se kaha tha ki use us shakhs ke baare me police ko bata dena chaahiye taaki police apne tareeke se uske baare me chhaanbeen kare lekin jaane kyo wafa ne doctor se uske liye mana kar diya tha aur khud usse haath jod kar guzaarish bhi ki thi ki wo us shakhs ke baare me kisi se kuchh na bataaye. Doctor wafa ki is baat par behad hairaan hua tha. Use lagne laga tha ki shaayad wafa ko us shakhs ke baare me kuchh to pata zaroor hai lekin usne puchhna zaroori nahi samjha tha.

Us shakhs ki haalat pahle se behtar thi. Yaani ab vo kisi par jhapatta nahi tha. Aisa is liye tha kyonki uske paagalpan ko rokne ke liye use chaubees ghante me ek injection lagaaya jaana anivaary tha. kaafi mashakkat ke baad aakhir hua ye ki wafa naam ki ladki us shakhs ko apne saath apne ghar le aayi. Doctor ne iske liye shakhti se mana bhi kiya tha lekin wafa ne kaha tha ki wo khud ek doctor hai is liye itna to ab wo uska aur usse khud ka khayaal rakh hi sakti hai. Wafa ki baat sun kar doctor hairaan pareshaan sa dekhta rah gaya tha use.

Wafa us shakhs ko lekar jab apne ghar aayi to wo us wakt chaunk padi thi jab usne achaanak hi us shakhs ki awaaz suni thi. Ye pahli baar tha jab us shakhs ne apne mukh se kuchh kaha tha.

"Tum mujhe yaha le to aayi ho." Us shakhs ne ajeeb si kathorta se kaha tha___"Lekin ek baat meri bhi sun lo aur wo ye ki main is ghar me tabhi rahuga jab tum mujhe ye vachan do ki tum mujhe jis kamre me rakhogi us kamre me nahi aaogi aur na hi zyaada der tak mere saamne rahogi."

"Tumhaare liye mujhe sab kuchh manjoor hai." Wafa ki aavaaz sahsa bhaari ho gayi thi, aankho me paani jhalakne laga tha, boli____"Baad muddat ke mile bhi to aise aur aise karaar ke saath? Khair koi baat nahi, tum jaisa kahoge waisa hi hoga. Mere liye yahi bahut badi baat hai ki tum mere....nahi nahi hamaare is ghar me rahoge. Lekin ek baat main bhi kahna chaahugi tumse aur wo ye ki jis tarah ki tumhaari haalat ho gayi hai aur jis tarah ki tumhe bimaari ho gayi hai usse agar thodi si bhi nijaat paane ka tumhaara dil kare to mujhe yaad kar lena. Tumhaare liye kuchh bhi kar jaaugi main."

Wafa ki baat sun kar shakhs ne koyi jawaab nahi diya balki chehre par ubhar aaye apne gusse ko jazb karte huye wo ek jhatke se ek kamre ki taraf badh gaya tha. Uske baad aise hi din raat guzarte rahe the. Wafa hamesha usse puchhti ki uski zindagi me aakhir aisa kya hua tha jiski vajah se aaj uski ye haalat ho gayi hai magar usne kuchh na bataaya tha. In sawaalo par wo shakhti se apne honth sil leta tha aur ghar se baahar chala jaata tha. Is beech kayi baar wo doctor bhi aaya tha. Usne us shakhs ko samaanya bhaav se bolte dekha to use hairaani ke saath achha bhi laga tha. Usne bhi us shakhs se kuchh baate bataayi thi aur ye hidaayat bhi di thi ki wo apne samay par us injection ko apne jism par zaroor lagaye. Uske marz ka ilaaz to mumkin tha kintu wo shakhs khud nahi chaahta tha ki use us azaab se mukti mile.

Din ko to wafa ek private hospital me rahti thi lekin raat me aa jaati thi. Usne bahut koshish ki thi ki wo us shakhs se uski niji zindagi ke baare me kuchh jaan sake magar wo kabhi kaamyaab na ho saki thi. Saara din wo shakhs pata nahi kaha gaayab rahta tha aur phir raat ko gyaarah ya fir baarah baje ke aas paas hi lautta tha. Ghar ki ek chaabhi wafa ne khud hi use de diya tha. Wafa jab bhi uske qareeb aane ki koshish karti to wo use badi kathorta se daant deta aur yaad dilaata ki un dono ke beech kya karaar hua tha?

Uski kathorta aur uske is rookhe byohaar se wafa ka dil chhalni ho jaata tha aur phir wo apne kamre me bed par lete lete khoob roti thi magar phir ye tasalli karti ki jise usne toot toot kar chaaha tha aur jiske haasil hone ki koi ummeed hi nahi thi wo aaj uske ghar me uske itne qareeb to hai.


Present_____

Apne ateet ke ek maamuli hisse me khoye huye us shakhs ko jaane kab neend aa gayi iska use pata hi na chala. Ek do ghante baad subah hone waali thi. Aane wali subah aur aane wala waqt jane kaun si saugaat liye khada tha?


━━━━✦༺❁༻✦━━━━
कम्बख्त मोहब्बत भी बड़ी अजीब है । इंसान को किसी भी हद को पार कर जाने के लिए मजबूर कर देती है। नीलम और वफ़ा भी इसी मोहब्बत के आगोश में आ चुकी थी । जिससे अब निजात पाना लगभग नामुमकिन है । एक ने इसी मोहब्बत के खातिर घर छोड़ दी और एक ने इतने अभहेलना सहने के बाद भी उस आदमी का ख्याल रख रही थी ।

कजीत अथवा अर्जुन जैसे मर्दो के लिए औरत जैसे कोई खिलौना है, लेकिन माया सिंघानिया वो अबला औरत नहीं है वे दोनों लुट ले । अपितु माया को रत्ति भर भी शक़ हुआ दोनों बाप बेटे पर तो तबला बजा देगी।
 
J

Johar

:welcome2:
━━━━━━━━

KAYAKALP
━━━━━━━━
━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━

:hello1:Dᴏsᴛᴏ, :wave2:

Hᴀᴀᴢɪʀ ʜᴜ एक नया संसार ᴋᴀʜᴀɴɪ ᴋᴀ sᴇᴄᴏɴᴅ ᴘᴀʀᴛ Kᴀʏᴀᴋᴀʟᴘ ʟᴇ ᴋᴀʀ. Hᴀʟᴀᴀᴋɪ ᴋᴜᴄʜ sᴀᴍᴀʏ ᴘᴀʜʟᴇ ᴍᴀɪɴᴇ Kᴀʏᴀᴋᴀʟᴘ ᴋᴏ ʟɪᴋʜɴᴀ sʜᴜʀᴜ ʙʜɪ ᴋᴀʀ ᴅɪʏᴀ ᴛʜᴀ ʟᴇᴋɪɴ ᴋɪsɪ ᴠᴀᴊᴀʜ sᴇ ʙᴇᴇᴄʜ ᴍᴇ ʜɪ ᴋᴀʜᴀɴɪ ᴋᴏ ʀᴏᴋ ᴅᴇɴᴀ ᴘᴀᴅᴀ ᴛʜᴀ. Eᴋ ʟᴀᴍʙᴇ sᴀᴍᴀʏ ᴋᴇ ʙᴀᴀᴅ ᴍᴀɴ ʙᴀɴᴀ ʀᴀʜᴀ ʜᴜ ᴋɪ ɪs 2ɴᴅ ᴘᴀʀᴛ ᴋᴏ ғɪʀ sᴇ sʜᴜʀᴜ ᴋᴀʀᴜ ʟᴇᴋɪɴ ɴᴀʏᴇ ᴛᴀʀᴇᴇᴋᴇ sᴇ. :declare:

Naye readers se bas yahi kahuga ki is kahani ko padhne se pahle iske pahle part एक नया संसार ko zarur padhe kyoki usko read kiye bina 2nd part ki ye story samajh me nahi aayegi. :noo:

Sabhi readers se mera ye bhi kahna hai ki story padhne ke baad apna feedback zarur dena taaki likhne wale ko achha bhi lage aur likhne ka uska manobal bhi bana rahe. Agar ye story beech me rok di gayi to samajh lena iska jimmedaar writer nahi hoga. Aisa is liye kyoki har writer apne readers se ye expect karta hai ki jo log uski story read karte hain wo story read karne ke baad story se related apne vichaar bhi byakt kare. Agar aisa nahi hota to writer ko yahi lagta hai ki wo bekaar me hi mehnat kar raha hai, is vajah se wo story beech me hi rok deta hai. Isi liye kah raha hu ki agar story beech me rok di gayi to uska jimmedaar writer nahi balki readers hi honge. :declare:



Story thread open kar diya hai. Readers ka response agar achha dikha to story ke update likhna shuru kar duga. Baaki to aap log samajhdaar hain hi. :D

Aaj kal har insaan apni personal life me bahut zyada busy hai. Aise me long story likhna kisi bhi writer ke liye asaan nahi hota. Iske bavjood jab koi writer readers ke manoranjan ke liye story likhta hai to usko dhanyawaad dena chahiye aur uska manobal badhaate rahna chahiye. Main ye nahi kahta ki readers writer ko sirf khush karne ke liye hi apna review ya feedback de balki ye kahta hu ki story ke bare me chaahe jis tarah ke khayaal man me aaye use aap apne comments ya review ke dwara byakt kijiye. Update read karne me agar 10 minute ka time lagta hai to 5 minute kharch kar ke apna feedback bhi dijiye. :love:
:thankyou:

━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━


━━━━━━━━
KAYAKALP
━━━━━━━━
ei-IWD9-F53730

━━━━━━━━
:congrats:
 
J

Johar

Introduction
━━━━✦༺❁༻✦━━━━




Dosto, Aap sab jaante hain ki ye kahaani ♡ एक नया संसार ♡ ka doosra bhaag hai. Aap sab kahaani ke mukhya paatron se bhali bhaanti parichit hain. Fir bhi aap sabki aur apne naye paathako ki jaankaari aur suvidha ke liye main is kahaani ke mukhya paatro ka parichay diye deta hu. Naye paathak is kahaani ko behtar tareeke se samajhne ke liye is kahaani ke pahle bhaag yaani___♡ एक नया संसार ♡ ko zaroor padhe. :declare:


☆ Gajendra Singh Baghel, ( dada Ji/Dead )
☆ Indrani Singh Baghel, ( Dadi Ji/Dead )
Gajendra Singh aur indrani ki paanch santaane hain jo is tarah hain_____

[1] Ajay Singh Baghel ( Dead )
¤ Pratima Singh Baghel ( Ajay Singh ki biwi/Widhva/Wakaalat ki digree )
•Ajay singh aur pratima ke teen bachche hain_____
(1) Ritu Singh Baghel ( Current age 31/Police me SP/Unmarried )
(2) Neelam Singh Baghel ( Current age 27/Unmarried )
(3) Shiva Singh Baghel ( Current age 23/Unmarried/Kaanunan umarkaid ki saza praapt )

[2] Vijay Singh Baghel ( Dead )
¤ Gauri Singh Baghel ( Vijay Singh ki Biwi/Widhva )
•Vijay Singh aur Gauri ke do bachche hain____
(1) Viraj aka Raj Singh Baghel ( Current age 27/ Unmarried )
(2) Nidhi Singh Baghel/ Gudiya ( Current age 23/Unmarried )

[3] Abhay Singh Baghel ( Gajendra Singh ke chhote bete/Peshe se sarkaari school me headmaster )
¤ Karuna Singh Baghel ( Abhay ki biwi/House wife/Educated )
•Abhay Singh aur Karuna ke do bachche hain_____
(1) Divya Singh Baghel ( Current age 23/Unmarried )
(2) Shagun Singh Baghel ( Current age 18/Student )

[4] Saumya Singh ( Gajendra Singh ki badi beti/Married )
[5] Naina Singh ( Gajendra Singh ki chhoti beti/Talaaqshuda )

Dusre mukhya paatro ka parichay_____

¤ Jagdish Obarai, Ek aisa insaan jiska apna koi nahi tha. Ek accident me uska iklauta beta aur bahu chal base. Kuchh samay baad uski mulaqaat kahaani ke mukhya paatra viraj se huyi. Jagdish obarai ne viraj ko apna beta bana liya aur phir uske naam apni arbon ki saari chal achal sampatti kar di. Wartamaan me is mahaan shakhs ka swargavaash ho chuka hai.

¤ Aaditya chopda, Ek aisa shakhs jo ek fighter tha aur paise me security provide karta tha. Is kahaani ke first part yaani
♡ एक नया संसार ♡ me ye shakhs viraj ka suraksha guard tha lekin baad me viraj se iski dosti ho gayi aur phir ye viraj ke parivaar ka hi ek sadasya ban gaya. Viraj ki maa gauri ne ise apna bada beta bana liya tha. Vartamaan me is anokhe kirdaar ka swargavaash ho chuka hai, aisa kaise hua ye aage chal kar pata chalega.

¤ Pratiksha Chaupda, Ye Aaditya ki bahan hai. Kuchh saal pahle pyaar me dhokhe ka shikaar huyi thi jiske chalte isne makaan ki chhat se kood kar apni jaan dene ki koshish ki thi. Khair jaan to nahi gayi lekin sir me lagi chont ki wajah se koma me chali gayi thi. Present me ye puri tarah theek hai aur mumbai me obarai group of companies ki dekh rekh karti hai. Company ka saara kaaryabhaar iske hi upar hai, waise iski help ke liye kayi bharosemand log chaubeeso ghante maujood rahte hain.

¤ Sonam Singh, Ye Pratima Singh ki badi bahan Poonam Singh ki dusari beti hai. Badi beti ka naam Anjali Singh hai jo peshe se doctor hai. Khair, sonam singh current me 30 saal ki hai aur peshe se doctor hai. Sonam ki shaadi ho chuki hai. Pati ka naam Abhinav Singh hai jo khud bhi peshe se doctor hai. Sonam singh shaadi nahi karna chaahti thi lekin apne maa baap yaani poonam aur mahesh singh ki zid aur unke emotional blackmail ke chalte ise unki hi pasand ke ladke yaani ki abhinav se shaadi karni padi thi.

¤ Rukmini Singh, Ye viraj ke bachpan ke dost pawan ki maa hain. Inke pati pahle hi swargavaashi ho chuke the. Inke pawan ke alaawa ek badi beti bhi hai jiska naam Aasha hai. Rukmini, viraj ke parivaar ke sath hi parivaar ki sadasya ban kar rahti hai.

¤ Aasha Singh, Ye Rukmini ki beti aur pawan ki badi bahan hai. Current me iski age 31 saal hai. Aasha ki kuchh saal pahle shaadi ho chuki hai, ye alag baat hai ki iski shaadishuda zindagi mahaj formality ke siva kuchh nahi rah gayi hai. Aisa kyo hai iska kahaani me aage chal kar hi pata chalega.

¤ Pawan Singh, Rukmini ka beta aur Aasha ka chhota bhai. Viraj ke bachpan ka sabse jigari yaar. Current me ye mumbai me hai aur obarai group of companies me senior post par kaaryarat hai. Waise Pratiksha ke baad ye dusra aisa shakhs hai jo company ke itne bade empire ki dekh rekh bhi karta hai.

Kuchh aur important paatron ka short parichay______

¤ Jagmohan Singhaniya, Ye shakhs business ki duniya se taalluk rakhta hai aur kayi bade bade logo se iske sambandh hain, jinme apraadh jagat ke log bhi shaamil hain.

¤ Maya Singhaniya, 24 saal ki ye khubsurat bala jagmohan singhaniya ki ek maatra aulaad hai. Apni khubsurti aur apne akoot paison ka behad ghamand hai ise. Behad hi ziddi kism ki ladki hai ye. Dimaag kaafi tez hai iska. Iske baare me pura vivran kahaani me aage chal kar hi pata chalega.

¤ Arjun Sahaay, 28 saal ka bahut hi makkaar insaan. Iska baap Ajeet sahaay peshe se criminal lawyer hai. Ajeet sahaay jagmohan singhaniya ka khaas wakeel hai. chaahe jaisa bhi case ho, agar aapke paas iski fees dene ke liye maakool paisa hai to aap iske dwara koyi bhi case jeet sakte hain. Arjun sahaay apne baap ke hi nirdesh par jagmohan singhaniya ki beti maya ko apne pyaar ke jaal me fansa kar usse shaadi karna chaahta hai, taaki jagmohan singhaniya ki akoot daulat par uska aur uske baap ka adhikaar ho sake.

¤ Wafa Khan, Ek aisi mushlim ladki jisne mohabbat me saari hade paar kar di. Iske baare me pura vivran kahaani me aage chal kar pata chalega.

Dosto, ye to the is kahaani ke mukhya kirdaar. Halaaki is kahaani me kirdaar to aur bhi hain lekin un sabka vivran kahaani me unki bhoomika aane par hi diya jayega. Aap sabse bas yahi ummeed karta hu ki aap sab apna saath aur sahyog hamesha banaye rakhenge, saath hi aap sab kathaanak ko baareeki se padhenge aur apne vichaar apne review ke dwara dete rahenge.


━━━━✦༺❁༻✦━━━━
Super introduction...!!
Waiting for viraj
 

Top