Update 20
Dad :- abhi usey na hi batay e to acha hai , agar usey bata diya to qayamat aa jayega , isliye koi usey nahi batayega
Mom :- haan aap sahi keh rahe hai usey abhi batana theek nahi hai kahi who vikaas ko kuch kar na dein
Dad :- tumhe bs apne bhanje ki hi padi hai sam k bare mein to tum socho hi mat w ho bs usi k bare mein socho
Sam upar aa ke apna laptop nikal k kam karne lag jata hai , tabhi skype pe London se call ata hai sam receive to nahi karna chahta tha magar majbooran karna pada , sam ne call
receiv e kiya aur dekha k sidharth , soniya aur neha teeno webcam pe hai ..
Sneha :- hello bhaiy a , kaise ho ..
Sam :- mein theek hu gudiy a tum kaise ho school jate ho ,mummy ko tang to nahi karte na
Sneha :- nahi bhaiy a jaati hu school aur mummy ko bhi tang nahi karti
Sam :- shabash .. meri gudiya .. aur bhaiya aap kaise hai
Sidharth :- mien theek hu y ar tum sunao kya chal raha hai waha
Sam :- kuch khaas nahi bhaiya bs , tym pas horaha hai
Sidharth :- acha y e to batao shadi kab hai aur tum ka baa rahe ho wapis
Sam :-bhaiy a abhi to engagement bhi nahi hui hai , abhi 5 6 din baad engagement hai uske baad shadi ka date decide hoga
Sidharth :- to tumne ky a socha hai shadi attend kar ke aa jaoge ??
Sam :- haan ab ay ah u to shadi bhi attend karna padhega na
Sidharth :- chalo theek hai tum apne didi se baat karo mera fav ourite show lag gaya hai
Sam :- ok bhaiy a¡* aur di sunaiye kaise hai aap
Soniy a :- mein to theek hu par tum theek nahi lag rahe
Sam :- nahi di mujhe kya hona hai mein to aik dum fit hu
Soniy a :- upar se fit ho , magar mujhe lag raha hai k tumhe koi pareshani hai .. jhagra hua hai kya dubara ghar mein
Sam :- haan kuch aisa hi samjho
Soniy a :_ hua kya hai batao to sahi
Sam shuru se lekar end tak batata hai k aaj ky a hua , sab kuch sunne k baad soniya kehti hai
Soniy a :- matlb ghalti tumhari hi thi w ho vikaas tumse milne aya tha aur tum ne uske sath badtameezi ki tabhi to tumhari mom ne vikaas ki side li na ,
Sam :- di aap ko pata nahi hai w ho v ikaas kitna kameena hai ..
Soniy a :- tumhe kya pata shayad ab who badal gaya ho
Sam :- nahi di w ho kabhi nahi badal sakta aaj bhi kha jane wali nazron se tehmina ko dekh raha tha kameena
Soniy a :- hmm chalo theek hai thoda apne ghusse pe control karo yar .. aur sunao
Sam :-ky a sunao di aap bataye kya chal raha hai aaj kal
Soniy a :- kuch khaas nahi yar Pakistan ka koi company humare sath deal karna chahta hai bs usi k sath lagi rehti hu
Sam :- hmm aap aur aap ke kaam .. chalo mein bhi apna kaam kar raha tha who karta hu aapbhi thoda rest karein .. bye tc ..
Aur call cut jata hai sam thoda normal ho chukka tha inse baad karne k baad .. apne kam karne lag jata hai aur sham tak kam karta rehta hai .. sham ko usey sulaiman ka msg ata hai ¡° Baji aa gay i hai dinner k liye aana aaj, sam usko reply karta hai
¡° ok ¡°
Phir sam apne laptop pe aik achi si movie dekh k downloading k liye chorh deta hai aur kapde nikal k pehenta hai aur ready ho ke apna cell phone , gadi k keys waghera aur
sulaiman aur baju ke liye laye hue gift le ke room se bahir ata hai to usey kuch yaad ata hai aur who mahrosh k room ki taraf jata hai aur w aha knock karta , andar se awaz ati hai
mahrosh ki
MAhrosh :- khula hua hai aa jao
Sam andar jata hai sam ko dekh kar mahrosh thodi hairan hoti hai k sam uske room mein aya hai .. mahrosh kehti hai
Mahrosh :- kya hua bhai koi kaam tha kya mujhe bula liya hota mein aa jati
Sam usko paise dete hue kehta
Sam :- mein tumhe w ho kal jo paise tum se liye th who dene aya tha ye lo
MAhrosh :- are bhai inki kya zaoorat thi .. mere paise aap ke hi to hai
Sam :- nahi mein kisi ka udhar nahi rakhta ..
Aur bahir aa jata hai ky u k andar uska sans ghut raha tha .. kyu k aik to who mahrosh se ziada dair baat karna nahi chahta tha aur dusri baat mahrosh short pent aur shirt pehne
bethi thi andar .. aur sam ko mahrosh ko is halat mein dekh kar kuch ho raha tha ..
Sam bahir ata hai main door se bahir jane hi w ala tha k uske dad jo tv lounge me hi bethe hue the kehte hai
Dad :- arey beta kaha ja rahe ho sham ho chuki hai abhi baher jana theek nahi hai
Sam :- dad mein sulaiman k ghar jaa raha hu . dinerwahi kar k aa jaunga ..
Ye keh k bahir ata hai aur gadi start karke nikal jata hai sulaiman k ghar ki taraf .. thodi hi dair mein sulaiman k ghar pohonch jata hai .. aur gadi park kar ke door bell bajata hai thodi dair mein hi sulaiman door kholta hai aur sam ko le keandar jata hai andar sulaiman ki baji aur mom hi the .. sulaiman dono se milta hai aur unke sath bethta hai ..
Sulaiman ke family mein koi khaas nahi hai uske father hotel chalate hai .. mom house wife hai .. aur uski badi behn Anisa age 29 , boht khubsoorat aur ekhlaaq mein bhi boht achi hai , sam ko bhi apna bhai hi samajhti hai aur sam se boht pyar karti hai uski shadiko 1 sal ho gaye hai ..
Tabhi anisa kehti hai
Anisa ;- bhai ho to tum jaisa baji k shadi pe bhi nahi ay e yar tum
Sam :- arey baji mujhe kisi ne bataya hi nahi .. ghar mein ziada baat nahi hoti thi aur y e mujhse baat nahi karta tha pata hi nahi chala
Anisa :- haan tumhara contact number kisi k pas hoga to tumhe batay enge na .. tum ne to humey apna numer diya hi nahi tha aur fb id bhi change kar di to kaise batate
Sam :- arey di ye sab nahi karta to aapka bhai pure university mein top kaise karta haan ??
Anisa :- haan so to hai .. acha mere liye kya laye ho London se ??
Sam anisa aur sulaiman ko unka gift deta hai aur unke sath baatein karte karte dinner ka ty m hota hai phir wahi dinner kar ke apne ghar ki taraf ata hai ..
Sigeret peete hue driv e kar ke ghar ata hai aur gadi park kar ke andar jata hai to dekhta hai k uske parents tv lounge me hi bethe hai , sam unko salam karta hai aur puchta hai
Sam :- mom coffee hai ??
Mom :- haan beta hai ..kyu banao kya tumhare liye ??
Sam :-nahi mom ap mujhe bata dein mein khud bana dunga ..
Mom :- mein bana lungi beta tumhare liye konsi badi baat hai
Sam :- nahi mom mein bana lunga mujhe apne hath ki coffee ziada pasand hai agar aap logo ko bi chahiye to bana lunga aap logo k liye bhi
Mom :- nahi mujhe nahi chahiye aur tumhare dad peete nahi hai .. tum apne liye hi bana lo kitchen mein cupboard mein rakha hai coffee..
Sam kitchen mein chala jata hai , sameer ki mom uske dad se kehta hai
Mom :- aap ko nahi lagta sameer kuch mentally disturb ho chukka hai .. pata hi nahi chalta kab ghusse mein hai kab uska mood theek hai ..
Dad :- haan akele reh k change ho gay a hai
Mom :-akele kaha rehta tha apne soniya di aur bhaiya k sath rehta tha unhon ne hi isey aisa bana diya hai ..
Dad :- humaira begam tum na kuch ziada hi bolne lagi ho agar sameer k samne aisa kuch kaha na to qayamat bharpaa kardega who .. koi bhi kisi ko itne ache se nahi rakhte who
to humare dete se bhai jaisa py aar karte hai sameer unhe kya deta hai ?? kuch bhi nahi bs bhaiya aur didi kehne pe who ksush hote hai .. aayindah aisi baatein na karo
Sameer apne liy e coffee banata hai aur apne room ki taraf jata hai , room mein entre hota hai to w ahi door pe hi rook jata hai ..
Ky u k andar mahrosh uske laptop pe kuch kar rahi thi , kuch dair usey dekhne k baad sam andar jata hai aur kehta hai
Sam :- y e kya ho raha hai yaha mere laptop pe kya kar rahi ho tum ?
Mahrosh laptop me khoyi hui thi usey sam k aane ki khabar bhi nahi hui aur jab sam ne usey kaha to who chaunk gayi aur dar gayi
Mahrosh :- w ho who mein movie lene ayi thi
Sam :- acha movie lene ayi thi do zara laptop mujhe dekhta hu
Sam laptop usse lene ki koshish karta hai par who nahi de rahi thi , sam zabardasti usse le leta hai aur dekhta hai k uske pics wala folder khula hai aur uske beach pe nikale gaye pics khol k dekh rahi thi jinme sam baghair shirt k tha ..