Romance Aur Ek Prem Kahani (COMPLETED)

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
365
69
28
Update 41.

Abahay wahan se laachaar, majboor, wapas chala gaya….. drive karte waqt woh Anny ke khayaalon mein khoya huwa tha, usske saath guzaare waqt, usski meethi awaaz, usski jism ki khushbhoo, inn sab ki achanak kami mehsoos hone lagi Abhi ko…. Woh kehte hai na ke jab koyi ass paas rehta hai to ussko hum for granted le lete hein, par jab achanak woh hum se door ho jata hai tab usski bahot yaad aati hai aur uss ke kareeb hone ki chah aur bhi bahr jaati hai…itne dinon se Anny Abhay ke saath saath tha to Abhay ko lagta tha ke ab unn donon ko koyi kabhi bhi juda nahin kar payega, aur kyun ke Anny usske saath saath thi har waqt to Abhay inn dinon shows aur rehearsals mein itna dooba huwa tha ke kayi dinon se Anny se pyar bhi nahin kiya tha thik se… Ab ussko bahot afsos ho raha tha ke ussne kitne dinon se Anny ko thik se apne bahon mein bhi nahin liya hai, ussko kiss tak nahin kiya hai… woh to London mein the tab aakhri baar pyar kiya tha donon ne usske baad aapas mein thik se baat bhi nahin kiya hai…… Abhi phir sochne laga kia kia plan kiya tha donon ne, apne bachon ke naam tak soch liya tha ussne….Anny usski maa ki parlour sambhalegi….yeh sab sochte sochte Abhi drive kar raha tha ke woh kiss gali mein kab entry kar gaya ussko pata bhi nahin chala aur jab hosh sambhala to dekha kissi aur sheher mein aa ponhcha hai…jana to ussko apne dance school tha magar woh khayaalon mein khoya drive kar raha tha ke kahin aur chala gaya aur khud ko pata nahin kab aur keise wahan aa ponhcha… accident bhi ho sakta tha…. Bawla sa gaya tha khud ko samajh nahin paa raha tha…na ro raha than a hanss raha tha bilkool ek putle ki tarah baitha tha driving wheel ke peeche, aur brake lagaya to apne aap ko ek anjaan sheher mein paya aur ussko kissi se poochna pada ke woh uss waqt kaun si sheher mein hein…… woh koyi 25 kilometeres ke duri par pohonch gaya tha drive karte aur bahot fast drive karta jaa raha tha…. Dimaagh ki haalat normal nahin thi…… usska sar dard karne lagga aur gadi se utarr kar ek coffee pine ko gaya kahin par…..

Udhar Ananya ke baap ne Ananya aur usski maa ko saamne bithakar bataya, “Yeh ladka meri Anny ke liye bilkool thik nahin hai, chahe woh Anny ke nazar mein sahi ho phir bhi main ussko bahot pehle se jaanta hoon. Pakka mawali hai woh aur bhai logon ke saath gunda gardi karta rehta hai, usske sathi bhi weise hi hein ussi ki tarah. Ek raat ko main apne ek client ke yahan gaya huwa tha kissi file ke silsile mein, aur yehi Abhay aya tha wahan kissi Saleem bhai ke saath jo ek bade talwaar se leyss tha aur meri to sach mein phatt gayi thi mujhe laga tha ke main bhi unn ke lapete mein ajawunga, khoon kharaba bhi karte hein yeh log, uss aadmi ka pata main ne baad mein lagaya aur pata chala ke woh kayi baar jail bhi jaa chukka hai yahan tak ke police bhi darrta hai uss se… kitna khatarnaak log hein woh aur yeh Abhay unn ke saath kaam karta hai… unn logon ke gang hote hein , kal ko iss ghar mein bhi weh ajayeinguey aur Anny ko utha le ja sakte hein…. Sala woh Saleem kasayi hai usska ek kasaayi ka dukaan hai, usske aadmi chaaron taraf hein sheher mein woh kuch bhi kar sakta hai….. iss se pehle ke woh log koyi eisi weisi kadam uthaye main Anny ki shaadi jaldi se karwa deta hoon. Mera ek dost hein bada business man hai, usska beta abhi abhi USA se aya hai aur woh shaadi ke liye ladki ke talaash mein hai, main unn logon se milkar baat tey karta hoon aur yeh shaadi 3;4 dinon mein ho jani chahiye….. koyi kuch nahin kahega koyi objection nahin chahiye mujhe….Anny tum bus ussko abhi ke abhi bhool jawo, samajh lo ke ek bura sapna tha…tum ne kaha na ke tumko agar choose karna pade mere aur usske beech to tum mujhko choose karogi to woh waqt agaya, ab main hoon ya who…..weise agar tumne ussko choose bhi kiya to main nahin hone dunga…. Agar meri beti ho aur mere posan paalan aur pyar ka khayaal hai to tum wohi karogi jo main chahta hoon my decision is final and that’s all!!”

Anny chup chaap baith kar ro rahi thi magar apne papa ke khilaaf nahin jaa sakti thi…Anny apne kamre mein jakar khub royi aur aakhir mein soch liya ke apne papa ke liye apne pyar ko kurbaan kar degi jo aksar ladkiyan kiya karte hein pariwaar ke khushi ke liye. Aur ussne atal faisla kar liya ke ab Abhay ko dil se nikaal degi… magar kia woh karna asaan tha Anny ke liye? Aur Abhay ka kia hoga? Kia woh iss sadme ko sehen kar paega? Woh to ek eise haadse se guzar chukka hai pehle hi…. Usski maa aur donon doston ko issi baat ka darr tha jab Anny usski zindagi mein aayi thi to…. Weh log issi baat se darr rahe the ke kahihn Anny bhi Abhay ko dhoka na dede pehli wali ki tarah….. ab kia hoga Abhay ka?! Keise saamna karega woh iss haalaat ka? Kia woh apni dimaaghi santulan par kaabu rakh paega? Kia Saleem bhai iss mein interfere kareinguey? Kia ussko iss baat ke bare mein pata chalega bhi?

Abhay 4/5 ghanton ke baad apne school ponhcha…. Iqbal, Vinay aur dusre sabhi dance masters classes le rahe the…school bhari huwi thi, sabhi class house full the…. Ek class Abhay ka bhi tha jiss mein students usska wait kar rahe the aur woh bahot der se school reach huwa…… andar jaate hi ussne sab ko release kar diya yeh kehte huwe ke usska tabiyat thik nahin aaj course nahin hoga. Aur class mein woh akela baith gaya ek chair par apne sar ko mez par rest karte huwe.

Jab Vinay ne dekha ke usske sabhi students wapas chale gaye to woh Abhay se milne gaya usske class mein….. Abhay apne aap ko sambhaalne ki puri koshish kar raha tha… apne jazbaat ko kaabu mein rakhne ki bharpurr koshish kar raha tha…. Bilkool roya nahin tha woh Anny ke ghar se nikalne ke baad….. ek dum khamosh tha….. sirf khayaalon mein gum tha….. ab, jab Vinay andar gaya uss se milne aur dekha ke woh apne sar ko mez par rakhe apne haathon ko sar par dhare baitha hai to Vinay samajh gaya ke koyi problem zaroor hai, magar kia problem hai yeh ussko pata nahin tha….. ussne dhire se poocha, “thik ho Abhay? Koyi problem?” Abhay ka dil bahot zoron se dharak raha tha, ussko lagta tha ke dhadkanein ab bandh ho jaeinguey…. Ussne apne sar uthakar Vinay ke taraf dekha aur kaha, “okay, thik hoon……” magar Vinay ko dikh gaya ke woh thik nahin hai….Vinay ka dil eise dharka jeise kissi khauff se dharakta hai kyun ke ussne Abhay ke enkhon mein woh gham dekhe jo Amita ko khone par huwe the…. Vinay ko bahot darr laga aur woh dawte huwe Iqbal ke kamre mein gaya aur kaha, “Yaar mujhe bahot darr lag raha hai….Abhay ko kuch huwa hai…. Usske chehre par woh dard dikh rahe hein jo Amita ko khone par the…..pata nahin kia huwa aur Anny usske saath nahin aayi aaj aur woh bahot late aya hai…. Oh my God please kuch weisa news mat dena humko….hamein bahot kuch karna hai abhi…humko Canada jana hai show ke liye aur Anny ka hona bahot zaroori hai shows mein…weh donon hi to main characters hein hamare shows ke…… Please hey Bhagwaan kuch bura mat hone dena,” Abhay ne yeh sab Iqbal se kaha aasmaan ke taraf pray karte huwe…..

Aur Iqbal ne kaha, “chal dekhta hoon to kia maajra hai….” Aur jab Iqbal Abhay ke paas gaya to ussne bhi wohi gham ke aalam mein Abhay ko ghera dekha aur ussko yakeen hogaya ke kuch zaroor huwa hai….. aur donon Iqbal aur Vinay baahar nikle aur aapas mein baat kiye….. Iqbal ne kaha, “Aaj Abhay Anny ke papa se milne wala tha, kahin wahan kuch huwa to nahin? Chal Anny ko phone laga abhi pata chal jaega…” Magar jab Anny ko phone kiya gaya to koyi response nahin araha tha…keise ata, sim card phone ke baahar tha aur phone Anny ke baap ke paas tha…doston ne Anny ka land line bhi try kiya magar kuch nahin huwa…. To donon wapas gaye Abhay ke paas aur uss se poocha, “Abhi, Anny kyun nahin aayi?” Aur Abhay ne ek dabe huwe awaz mein kaha, “Woh ab kabhi bhi nahin ayegi. Sab cancel kardo, koyi shows nahin hoga…… Canada walon ko email kardo ke sab cancel hogaya…….”


To be continued………………………
 
Dimaagh ka garam, Dil ka naram
365
69
28
Update 42.

Donon doston ke samajh mein agaya ke kia huwa hoga aur Abhay ki uss haalat ko dekh kar donon ko bahot fikr huwa. Donon ek dusre ko dekh rahe the aur bahot ghamgeen hogaye the woh bhi; phir bhi baat ko puri tarah se janna chahte the to Vinay ne Abhay ke kandhon par haath rakhte huwe kaha, “Dekho yaar humko sab details mein samjhwo na please, hum ko pata hai kuch bura huwa hai magar humko samjawo ke eisa kia ho gaya jo yeh sab keh rahe ho, bolo to tum Anny ke papa se miley? Kia kaha unhon ne yaar?”

Abhay ne ek lambi sanss liya aur Iqbal aur Vinay ko baithne ko kaha. Donon dost baith gaye to Abhay ne kaha, “Yaar yaad hai jab hum Saleem bhai ko lekar uss Rakesh ke yahan gaye the teri behen ki shaadi ke silsile mein uss haram zade ko samjhane ke liye aur wahan par koyi aadmi tha Mr. Varma ke naam ka? Sala woh Anny ka baap nikla yaar!” Yeh sunkar donon dost khule munh heyraani se ek dusre ko dekhne lage aur Abhay ne bayaan jaari rakha, “Aur uss ne to hum teenon ko gunda mawaali samajh liya ussi raat ko aur Saleem bhai ko bhaiyon ka bhai samamjhta hai woh….. mafia ka baap samajhta hai Saleem bhai ko…ab ussska bhi dosh nahin uss raat ko hum log gaye hi the gundon ki tarah uss ghar mein upar se Saleem bhai ke haath mein talwar thi to Anny ka baap ussi ghalat faimi mein hai…”

Vinay ko bura lag raha tha ke usski behen ki wajah se aaj Abhay par tohmat lagaya jaa raha hai gunda hone ki. Magar Iqbal ne kaha, “Yaar to iss mein problem kia hai, hum Anny ke baap ko sab sach sach bata sakte hein nah! Hum jaakar ussko bata deinguey ke sahi baat kia hai aur Saleem bhai kia hai.” Abhay ne kaha, “Yaar pehle to woh tum donon ke shakal nahin dekhna chahega kyun ke tum donon uss raat ko mere saaath the, phir woh tum ko bhi gunde ke gang se samamhjta hai, woh sochega ke main ne tum donon ko wahan bheja hai kuch ulta seedha karne ke liye, baat aur bhi ziada bigar sakti hai….. Aur Iqbal kia kaha tumne? Saleem bhai ke bare mein batayega ussko? Kia wada liya tha uss raat ko main ne tum donon se, jiss raat ko main ne tum donon ko Saleem bhai ke bare mein bataya tha? Kia kaha tha main ne? Yeh ek bahot badi raaz ki baat hai aur kabhi bhi kissi keemat par bhi kissi par zaahir nahin hone deinguey, aur tum donon ne mujhse sachcha wada kiya tha kassam khaayi thi ke kabhi kissi ko nahhin batayeingeuy, to kia kaha tumne ke Saleem bhai ke bare mein ussko batwoge? Hein??”

Iqbal ne chehra badalte huwe kaha, “Sorry yaar magar iss haalaat mein main ne socha ke bata dena sahi hoga, magar sorry main apni kassam nahin todunga.” Aur Abhay ne ek baar phir donon se kassam liya ke kuch bhi ho jaye woh donon Saleem bhai ka raaz nahin batayeinguey Ananya ke pita ko. Aur donon ne phir se dusri baar kassam khaayi ke weh donon kuch nahin kaheinguey Saleem bhai ke bare mein Anny ke papa ko nah hi Anny ko na kissi aur ko.

Vinay ne poocha, “To Anny ne kia kaha jab usske pita ne tumko kuch ghalat kaha to?” Abhay ne jawaab diya, “Woh kia kar sakti thi yaar? Woh apne papa ko bahot chahti hai, har baar woh apne papa ki ghair mawjoodgi mein mujhse kehti rehti thi ke usske papa usske liye kitna aziz hai, woh behad pyar karti hai apne papa ko aur main nahin chahta ke ab meri vajah se woh apni papa ke khilaaf jaaaye….., main nahin chahta ke main Anny aur usske papa ke beech deewaar banun. Agar Anny apne papa ki baton ko maanti hai to wohi sahi yaar….” Aur yeh kehte huwe Abhay ke enkhon se itne der se sambhaale huwe ensoo chalak pade aur woh phoot phoot kar rone laga…. Aur jaldi se donon doston ne apne har dil aziz dost Abhay ko apne baahon mein lekar seene se lagaate huwe khud rone lage….. teenon ro rahe the… teenon ke samamjh mein ab bilkool nahin araha tha ke kia kiya jaye….. Iqbal ghussa bhi ho raha tha aur gham bhi tha Abhay ka; woh kuch karne ko soch raha tha magar darrta tha ke kahin kuch ghalat na kar baithe jiss se Abhay ko baad mein takliff howe…. Abhay sab sahi tarike se karna passand karta tha hamesha, apne bare mein woh kabhi bhi ghalat tarike se kuch passand nahin karta tha….. dusron ke madad ke liye ghalat tarika istemaal kar leta tha magar apne khud ke liye hamesha sirf sahi tarika apnata tha woh, aur yeh baat donon doston ko achchi tarah se pata tha…..

Vinay rone se chup huwa to Abhay ke chehre ko apne donon haathon mein lekar usski enkhon mein dekhte huwe, sanjidgi se kaha, “Dekh Abhay mere dost, tu buss apne aap ko sambhaalna, hum tumko khona nahin chahte yaar….tum apne jazbaat ko sambhaalna yaar….tum humare liye bahot ehem ho….. Hum nahin chahte ke jo Amita ke waqt huwa tha phir se huwe…tum sun rahe ho na main kia keh raha hoon Abhay? Bol yaar tum apne aap par kaabu rakh sakte ho nah yaar….” Aur Vinay zor se rone laga yeh baatein kehte huwe usske piche Iqbal bhi ro pada….

Phir Abhay ne kaha, “Don’t worry yaaro, main sambhaal lunga apne aap ko…tum log fikar mat karo… buss Anny ko bhoolna bahot mushkil hai dosto….usski yaad bahot satati rahegi…pata nahin kia kar rahi hogi…usske baap ne usski mobile chhinn liya, ghar ki telephone line bhi kaat dala aur Anny ko ghar se nikalne ko mana kar diya hoga…aur Anny weise bhi kabhi kahin aati jaati to nahin thi aur ab to bilkool milna nahin hoga yaar…..

Iqbal ne apne ensoo ponchte huwe kaha, “Yaar bhool ja Anny ko agar eisi baat hai to…. Bus thoda time lagega, bus tu bhool ja ussko ab…. Yun samajhle ke woh kabhi ayi hi nahin thi teri zindagi mein…. Kia tu yeh kar paega? Bol…..nahin to main kuch na kuch to kar hi dalunga yaar…tu bol Abhay….”

Abhay ne bhi apne enkhon par haath ko pherte huwe kaha, “Nahin tum donon mein se koyi kuch nahin karega ab…jo hona hai sab weise hi hone do ab…. Jo hona hai so to hoga hi….. bus kismat ke haath par sab chorr diya jaye…..” Magar Vinay ko yeh manzoor nahin tha, ussne kaha, “Kia kehte ho Abhay, kismat par keise chorr diya jaye? Kuch na kuch to karna hi hoga…. Kissi na kissi ko to Anny se ya usske pita se baat karna hoga, ya phir usski maa se…. ya tumhari mummy to baat kar sakti hai Anny ke pariwaar se…koyi na koyi to raasta hoga yaar….. kuch na kuch to kiya jaa sakta hai….”

Iqbal ne kaha, “Agar hum log Anny ko utha lein aur court marriage karwade tum donon ki to? Mujhe yakeen hai ke Anny zaroor ayegi hamare saath…” Abhay ne kaha, “main ne kaha na koyi ghalat kaam nahin kiya jaega? Aur Anny apne papa ke khilaaf nahin jaegi…. Agar tum log ussko lene bhi gaye to woh hargiz nahin ayegi…agar main bhi gaya ussko lene to woh nahin ayegi, main jaanta hoon usse…Jab tak usske papa han nahin kahegi Anny kabhi nahin raazi hogi mere saath aneko….”


To be continued………………
 
Dimaagh ka garam, Dil ka naram
365
69
28
Update 43

Udhar Anny ka bhi bura haal tha magar ussko apne Abhay par pura yakeen tha phir bhi woh apne papa ke khilaaf kabhi nahin jaa sakti thi kyunke ussne apne papa ko hamesha se kaha hai ke agar woh kissi din ussko kissi bhi ladke ko naapassand karega to Anny uss ladke ko bhool jaegi. Aur ab Anny ka imtehaan ka ghadi tha woh kia karein apne papa ki baat ko maein ya sab bhool jayein aur apne Abhay ke paas chali jayein sab chor chaar kar? Badi duvida mein thi woh, ussko bhi chain-o-sukoon nahin tha, raat raat bhar jag rahi thi, enkhon mein neend na dil ko chain…..


Aur uss taraf Abhay raat ko mobile ko takte takte ro raha tha Anny ki meethi awaaz ko sunne ka mann kar raha tha ussko aur bahot betaab aur niraash tha. Dil ki dhadkan jeise band ho jaye eisa lag raha tha ussko. Apni maa se ussne kuch bhi nahin kaha aur khaamosh apne kamre mein band kiya huwa tha apne aap ko. Khane ke waqt jab maa ne awaaz di to ussne kaha ke ussko bhook nahin aur maa ko khana khaane ko kaha. Usski maa ne socha ke Anny se baatein kar raha hoga har raat ki tarah aur shaayad kuch khaa pee liya hoga Anny ke saath issi liye nahin khaega to maa ne ziada ghaur nahin kiya usski situation par uss raat ko.


Raat ko 2 ya 3 baje Abhay soya bilkool nahin tha aur usska sar dard kar raha tha. Uss taraf Anny bhi nahin soyi thi. Aur Abhay ko achanak Anny ke ghar jane ko sujha jeise ek baar beech raat mein gaya tha. Ussne socha Anny ke papa to uss waqt neendh mein hoga aur woh Anny ke khirki khatkhatega aur usske kamre mein daakhil ho sakta hai to Anny se baat ho sakti hai at least aakhri baar ke liye….. To ussne gadi nikaali aur chal pada subha ke 3 baje Anny ke ghar ko. Kia who sahi kar raha tha? Kia hoga agar Anny ke papa ne kissi tarah se dekh liya to? Kia Anny ussko andar ane degi? Kia woh Anny se baat kar paega? Yeh sab sochte huwe Abhay drive kiye jaa raha tha Anny ke ghar ke taraf…..


Udhar Anny sochte sochte khud se gambhirta se kaha, “Main apne pyar ko apne papa ke khushi ke liye qurbaan kar dungi. Pyar kia hota hai? Papa ne mujhko paal poskar itna bada kiya, mere bachpan se lekar aaj tak dekh bhaal ki papa ne, Abhay to aaaj meri zindagi mein aaya, papa se tulna kiya jaye to Abhay to kuch bhi nahin papa ke saamne. Main ne papa se hamesha kaha hai ke main kabhi bhi usske khilaaf nahin jawungi, to aaj kyun Abhi ke waja se apne papa ki baat ko thukrawun? Nahin nahin! Eisa nahin ho sakta- papa aakhir papa hai usska ziada haq hai mujhpar, main wohi karungi jo papa kahega. Main ussi ki baat manungi. Jawo Abhi main ne abhi se issi waqt se tumko bhoola diya, nikaaal diya tumko apne dil se, mat yaad awo mujhe ab, main koyi nahin lagti tumhari, ek bura sapna samajh kar bhool jawungi tumko main…. Han jaanti hoon dukh hoga tumko bahot magar main apne papa ke khilaaf nahin jaa sakti Abhi mujhko maaf kardena. Koyi baat nahin dil hi dil mein zindagi bhar tumko pyar karti rahungi magar kissi ko nahin pata chalega, tumko bhi nahin. Main ne pyar sirf tumse kiya magar apne papa ke khaatir main wohi karungi usske khushi ke liye.” Anny khud se badbada rahi thi aur than liya tha ke wohi karegi ab.


Yeh abhi ki budnaseebi dekho yaaro. Agar koyi ek ghante pehle Abhay ghar se nikalta to shaayad Anny ne yeh sab nahin kaha hota apne aap se. Shaayad tab woh khushi khushi Abhi se mil leti. Magar yeh dil mein thaan lene ke baad kia woh Abhi se milegi? Chalo dekhte hein kia hota hai…..


Pichli baar ki tarah, Abhi ne uss bus stop ke paas apne gaadi ko park karke choron ki tarah ahiste ahiste chalkar Anny ke room ke khirki ke paas gaya. Usska dil bahot zoron se dhadak raha tha. Charon taraf andhera to tha hi magar Anny ke kamre mein light on dekh kar Abhi ko tassali huwi ke chalo woh bhi jaag rahi hai. ‘Keise neend ayegi ussko jab main nahin so raha hoon’ Abhi ne socha. Ussko pichli baar itna darr nahin laga tha jitna iss waqt lag raha tha Anny ke khirki khatkhatane ko. Shaayad iss liye ke uss baar Anny ka baap nahin tha yahan; aur ab achaanak Abhi ne socha, ‘kia hoga agar aaj Anny ke papa ne jaan bujh kar Anny ko kissi dusre kamre mein shift kar diya ho aur khud iss kamre mein so raha ho to?!!’ iss khayaal se to Abhi ghabra hi gaya aur socha ke maamla to bahot ziada bigar jaega agar weisa huwa to? Agar Anny ka baap ne raat ko 3 baje ussko usski beti ke kamre ke paas dekh liya tab to kayamat ajayegi!! Yeh sochkar Abhi ka pasina chhuth gaya halaan ke thandi hawa beh rahi thi baahar. Ab Abhi pareshaan ke kia kare! Ghurnon ke bal khirki ke niche pada tha phir chor ki tarah sar ko upar karke kamre ke andar dkhne aur sunne ki koshish kar raha tha. Parda khincha huwa tha kuch bhi dikh to nahin raha tha magar Abhi ne ek lambi saanss liya aur enkhon ko band karke meditate kiya. Apne aap se kaha, “agar mera pyar sacha hai to mujhko apni mehbooba ki iss kamre mein mawjoodgi ka pata chalna hai, agar Anny iss waqt iss kamre mein hai to usski khushbhoo mujh tak zaroor ana chahiye ya usski kadmon ki aahat sunaayi dena chahiye, keise bhi karke mujhko apne pyar ka pata chalna hi chahiye……..”


Yaaro manon ya na manon sacha pyar, sacha iskh mein ek ajeeb si taaqat hoti hai jo tab anumaan lagaya jaa sakta hai agar uss tarah ka pyar kiya jaye. Ishk uss junoon tak pohonch jaati hai jahan khudaayi bhi nahin pohonchti agar ishk sacha aur gehra ho to. Khudaayi bhi karwat badal leta hai jahan sacha aashik apna rukh karta hai eisa suna hai kayi baar. To kia Abhay ki muhabat mein woh taaqat hai ke kuch eisa hota iss waqt? Chalo dekhein kia kudrat Abhay ke dil ka haal sun raha tha aur kia kudrat usska saath deta hai iss waqt?



Yaaro Abhay jeise ibaadat karne laga apne enkhon ko mundhe huwe kissi aur dunya mein pohonch gaya, junoon ki had paar kardi ussne iss tarah ka meditation kiya ussne uss khirki ke niche baithkar… itni gehraayi se Ananya ke soch mein dooba aur iss tarah se usska naam labon par laya ussko sochte huwe aur mehsoos karte huwe unn lamhon ko yaad kar kar ke jo ussne Ananya ke saath guzare hein ke ussko khud laga ke uss waqt woh Ananya ko apne bahon mein bhare huwe hein aur kissi aur dunya mein hai. Usske enkhon se ensoo beh rahe the magar khud ussko pata nahin tha. Uss ke jism tharthara raha tha magar woh anjaan tha, kudrat usske saath tha uss waqt magar woh naawaakif tha, usska message khudaayi Ananya tak kissi bhi zarye se ponhcha raha tha magar kissi ko pata nahin tha…… woh to diwane ki tarah, majnu jeisa apne pyar ko yaad aur mehsoos kar raha tha bus, ussko kia pata ke uss waqt kaenaat usska saath de raha tha…….

Huwa yeh ke kamre ke andar Ananya ko sab sochte sochte, apne papa aur Abhi ke beech tulna karte karte ussko garmi si chaa gayi aur thandi hawa khaane ke liye Ananya ne achanak khirki kholi parde ko hata kar ek lambi saanss lene ke liye apni gardan baahar kiya to Abhay ko saamne paaya kyunke uss waqt, thik ussi waqt Abhay ko usski khusbhoo naak ke naaliyon ke zarye dimaagh mein utar aya aur woh khada hogaya apni muhabat ke saamne…….. Anny ke kamre ka ujala Abhay ke chehre par tha aur Anny ki nazrein usspar yakayak Anny ki sansein thami reh gayi aur woh jeise baraf bankar jam gayi thi wahan…….


To be continued………………
 
Dimaagh ka garam, Dil ka naram
365
69
28
Update 44

Anny ghabra si gayi aur mudkar piche apne kamre ke darwaze ki taraf dekha phir Abhay ko dekhte huwe dhire se kaha, “Tum chale jawo abhi ab hum nahin mil sakte chale jawo please!” Abhay diwane ki tarah ussko dekh rahi thi aur ensoo bhare enkhon se thartharaati awaaz mein kaha, “Chala jawun? Chala jawun jaan meri? Achi tarah se sochkar keh rahi ho nah? Kahin eisa na ho ke mere lawtne ke baad pachtao aur khud se kaho ke kyun mujhko lawta diya khaali haath?!”

Anny ne Abhi ke dard bhare awaaz ko beech mein rokte huwe kaha, “Nahin pachtawungi, bilkool nahin pachtawungi, ab hamara koyi rishta nahin raha woh sirf iss liye ke mere papa nahin razi hai, bus sirf issi liye, mujhe tumse koyi shikwa gila nahin, tum ne to mujhe woh khushi di hai ke zindagi bhar talaashne se kissi kissi ko milti hai dunya mein, main khush kismat hoon ke mein tumhare saath itne dinon tak rahi, ab budkismat hoon ke tumse bicharna par raha hai….mujh mein apne papa ke khilaaf jane ki himmat nahin aur naa hi jana chahti hoon. Abhi please issko hamare taqdeer ka likha maankar sab bhool jawo aur mujhe maaf kardo please aur han apna khayaal rakhna, main nahin chahti hoon ke mere wajah se tum ko kuch huwe.. wada karo ke tum apna khayaal rakhoge…. Wada karo Abhi….” Yeh itna kehte kehte Anny ko khud pata nahin chala ke kab ussne Abhi ke donon haathon ko zor se thaam liya tha…. Hosh sambhala to jhat se apne haathon ko alag kiya……


Abhay usski enkhon ki gehraayi mein doob gaya tha aur sab kuch samajh gaya aur ussko kuch bhi kehne ki zaroorat nahin pari, bus sirf itna kaha, “Thik hai meri jaan, thik hai, aur kuch mat kaho main sab samajh gaya…..bus itna zindagi bhar zaroor yaad rakhna kabhi bhoolna mat ke tum meri ruh mein bassi huwi ho aur bassi rahogi jab tak main iss dharti par para rahunga, koyi aur iss ruh mein nahin ayegi mere aakhri dum tak kabhi bhi mat bhoolna iss baat ko, alvida meri pyari Ananya.” Itna kehkar Abhi wahan se nikla aur mudhkar dobara wapas nahin dekkha, seedha apni gaadi tak pohcha aur ghar chala gaya.


Ananya khirki par khadi ussko mudne ka intezaar karti rahi, street lights ke roshni mein ussko Abhi jate huwe nazar to araha tha aur woh intezaar karti rahi ke Abhi ussko ek aakhri baar mudhkar dekhega magar Abhi nahin muda aur Anny khirki bandh karke apne bistar par lethkar khub royi apne kismat ko koste huwe. Woh apne aap ko bhi koss rahi thi ke ussne kyun Abhi ko itna kuch keh diya kyun ussko wapas jane ko kaha, kyun Abhi ko kuch kehne ka mawka nahin diya ussne…. Woh sochne lagi, ‘pata nahin Abhi kia kehne ko aya tha, shaayad usske paas koyi upaaye tha hum donon ke liye, shaayad woh kuch kar sakta tha, woh mujhe apne seene se lagana chah raha hoga, kyun main ne ussko andar ane ko nahin kaha, kia pata woh akhri baar hi sahi mujhe gale lagana chata tha……’ yeh soch sochkar Anny bahot royi…magar ab rone se kia faeda jab chidya chug gayi khet….


Subha ka pehla kiran jab Anny ke kamre ke andar daakhil huwa to Anny ke takiye bheege huwe the ensoowon se aur uss suraj ki kiran ko Anny ne pranaam karne se inkaar kiya. ‘Jaa, chali jaa, mujhko andhere mein rehne de ab teri zaroorat nahin mujhe, zindagi to meri andheri ho gayi mere abhi ke bina to tera kia kaam ab chali jaa yahan se’ yeh badbadaya Anny ne suraj ke kirnon ke saath…..


Udhar Abhi apne bistar par lete chhath ko taak raha tha dil ki dhadkanon ke tez raftaar ko mehsoos karte huwe, aur enkhon ke nammi ko palkon se jhapakte huwe. Ek lambi saans lene ke baad woh apni maa se milne gaya rasoyi ghar mein. Maa ko taajub huwa ke who itni jaldi keise uth gaya aur kitchen mein kia karne aya, to heyraani se ussko dekhte huwe kaha, “Are aaj suraj uss taraf se uga hai kia?” Abhi apni maa ki enkhon mein dekhte huwe uss ke taraf badh raha tha ahiste ahiste, tab usski maa ne dekha ke usske palko se paani chalane hi wala tha aur usske honth tharthara rahe the, to maa ne jaldi se apne kadam usske taraf badhate huwe heyraani se poocha, “Are Abhi kia huwa? Kia huwa beta?” Tab tak Abhi apni maa ki baahon mein ek chote bachche ki tarah rone laga…..


Maa ne ek haath se ussko sambhala aur ek haath usske sar ke baalon mein pherte huwe dard bhari awaaz mein poochti gayi, “Are bol to huwa kia? Kyun itna ro raha hai, tere aur Anny ke beech kuch huwa kia re?”

Abhay ne bahot zor se rona shuru kiya chilaakar, khulkar bahot zor se rote huwe kaha, “Meri aany kho gayi maa, ab woh mujhe kabhi nahin milne waali, main ne kho diya usse maa, kho gayi meri Anny maa, main kuch nahin kar saka maa aur woh kho gayi, main bebus, laachaar dekhta raha aur meri Anny kho gayi maa…..”


Ek awrat roti hai to roti hai sab ko pata hota hai, magar jab ek mard chilla kar zor se rota hai to kaleja phat jata hai, khaaskar jab woh mard apni maa ke saamne weise rota ho to…… maa se dekha nahin gaya, suna nahin gaya aur woh khud rone lagi puchte huwe ke kia huwa aur keise huwa…..


Kaafi der rone aur bilakne ke baad, naak ko ponchte huwe Abhi ne apni maa ko sab bataya….. maa ne sujhav di, wahan jaakar Anny ke papa se baat karne ki baat ki magar Abhay ne mana kar diya ke jab Anny khud nahin chahti to kyun baap se mila jaaye….. Abhay ne maa se kaha ke ab usski kismat par sab chorr diya jaye….


Maa ko bahot fikar hone lagi kyun ke woh nahin chahti thi woh haadsaa dohraya jaye jo usski pehli muhabat ke lootne ke waqt huwa tha… ussko darr tha ke kahin Abhay sehen naa kar paaye aur apne dimaaghi santulan kho baithe…. To Abhay ki mummy ne Vinay aur Iqbal se phone par kaafi der tak baatein ki magar woh donon bhi laachaar the kyun ke khud Abhi nahin chahta tha ke koyi bhi usske liye koyi bhi kadam aguey badhayein…..



Abhay din bhar ghar par hi raha aur Vinay aur Iqbal ne school sambhaale. Aur Ananya ke yahan usske papa kahin gaye huwe the aur wapas aaye to do aadmi usske saath aaye. Unn mein se ek usska dost tha aur dusra uss dost ka jawaan beta. Ananya ko dikhane ke liye laye gaye the unnko. Anny ke papa ne Anny ko tayaar karwake unn logon ke saamne pesh kiya aur ladke ne ussko passand karli dekhte hi aur kia baatein ki gayi thi ke agle teen din mein shaadi ka din bhi fix kar di gayi.

Woh aadmi ek mashoor business man tha aur woh ladka usska ek lawta suntan tha. Anny ne to usska chehra bhi nahin dekha thik se sirf apne papa ke khatir han kiya aur shaadi ke liye raazi hogayi yeh kehte, “Papa aap jo bhi sahi samjhe kijiye aap mere papa ho aap to mera bhala hi karoge nah?!”


To be continued…………
 
Dimaagh ka garam, Dil ka naram
365
69
28
Update 45

Do din baad Abhay ko keise bhi khabar milhi gayi ke Ananya ki shaadi hone jaa rahi hai kissi raizade ke saath. Kia karta woh. Chup raha. Vinay aur Iqbal donon Abhay se ghar par milne ko aye, aur teenon dost ek saath milkar roye magar phir bhi Abhay ke donon dost ab bhi zid kar rahe the ke weh Anny ko utha laaye aur donon ko bhaga de yahan se. Yahan tak ke josh mein aakar Abhi ke maa ne bhi donon doston ka saath diya aur unn donon ko Anny ko uthane ke liye kaha. Faisla yeh bhi huwa ke saleem bhai ka sahara liya jaye Anny ko uthane ke liye.

Magar Abhi ko yeh bilkool manzoor nahin tha. Gham ke haalat mein ussne sab ko samjhaya ke jo usske kismat mein hone ko likha hai wohi hoga kissi ko kuch karne ki zaroorat nahin. Aur ussne dhamki di ke agar unn logon ne usske khilaaf kuch bhi kiya to woh kuch kar baithega. Ussko pata tha ke agar Anny ko uthaya gaya to Anny khud apne papa ko uss sharmindagi ka saamna karna nahin degi, sab aur bhi ulajh jaega. Abhi haalaat se samjhawta karne ki koshish mein laga huwa tha bhale hi who naamumkin tha. Donon dost laachaar apne ghar wapas lawte.

Magar bina Abhi ko kuch bataye donon Anny ke ghar gaye, Anny ko uthane nahin magar uss se ek aakhri baar milne aur baat karne ke liye. Raaste mein se Anny ke ghar pohonchne se pehle donon ne Abhay ki maa ko phone kiya aur ussko bhi saath ane ko kaha. Abhay ki maa ne uss se kaha ke ussko ek dost ke yahan jana hai to woh chali gayi Vinay aur Iqbal ke saath.

Wahan jeise hi pohnche gate par Anny ke papa ne Iqbal aur Vinay ko pehchaan liya aur donon ko gali galoch ke saath dhitkaar kar baahar nikalne ko kaha. Magar Abhay ki maa ko to who kuch nahin keh saka aur woh andar chali gayi Anny ke maa se baatein karne….. ghar ke aangan mein donon doston aur Anny ke papa ke beech oonchi awaaz mein behez ho rahe the. Anny ne andar se suna to jaldi se apne papa ke bagal mein aakar khadi huwi aur Vinay aur Iqbal se wapas laut jaane ke liye binati ki. Anny ke baap ne kaha,

“Gunde mawaali ho tum sab, yeh to shukar hai ke uss raat ko main wahan mawjood tha to tum sab ke kaarnaamein dekhe nahin to main to apni beti ke khushi ke liye iss rishte ko manzoor hi kar leta- Bhagwaan ka shukar hai ke main tum logon ka asliyat pehchaanta hoon kuton kaminon!”

Iqbal ne ghusse mein jawaab diya, “Varma saahab aap ko jiss din asliyat ka pata chalega to khoon ke ensoo rowoge aap, aur naaz karoge hum sab par. Agar uss raat hum wahan nahin hote to ek beti ka baap ho nah, to socho agar aap ki beti ke liye hum wahan gaye hote uss waqt tab kia ap yehi kehte? Kamaal hai bina jane samjhe hum ko gunda mawali keh rahe ho aap, pehle baat ki jarr tak ponhcho phir bakna jo bakna hai, aap ki jagah koyi aur hota to ab tak main ne usska thopda lahu mein rang diya hota abhi!”

Varma saahab bhi ghusse mein laal hokar chillate huwe kaha, “bandh karo apni gandi zubaan. Main police ko phone karun kia? Jate ho yahan se ya dhakka dekar nikalun?”

Tab Vinay ne zara narmi dikhane ki koshish ki aur kaha, “Dekhiye sahab, ghusse mein baat karne se koyi hal nahin nikalta, aap khud apni beti se poochiye kia woh khush hai iss shaadi se jo kal hone wali hai? Itni jaldi hadbadahat mein koyi shaadi hoti hai bhala? Aap please unn donon ko mila dijiye aap ka bahot bhala hoga aur dekhna aap ko khud apni decision par garv hoga…. Magar eise jaldbaazi mein faisla lene se sab bigar bhi sakta hai Sir, please aap Ananya aur Abhay ko juda mat kijiye weh donon ek dusre ke baghair nahin reh sakte, hamara dost bahot kumzor hai ussko kuch ho sakta hai, hum log usske liye bahot fikarmand hein pata nahin kia ho jaye ussko Anny se bicharne par aap zara sochiye kia aap thik kar rahe hein do masoom dilon ko alag karke?”

Anny ke papa ne phir bhi oonchi awaaz mein kaha, “Bhaad mein jaye tumhara dost. Mujhe kia lena dena ussko kuch huwe ya nahin woh tum janon.” Vinay ko yeh sunkar bahot ghussa aya aur ussne bhi chilla kar kaha, “Mister Varma agar aap Ananya ka baap nahin hote to mera haath uth jata abhi aap par, mere dost ke khilaaf ek bhi lavz agar kaha nah to aap ke dant aap ke peth ke andar honge issi waqt!” Tab tak Anny dawd kar Vinay ke paas aayi aur ussko ek thapad maarte huwe kaha, “tum kaun hote ho mere papa ko dhamkane wale? Chale jawo yahan se mera Abhay se koyi naata nahin suna tum logon ne? Get the hell out of here now!”

Tab tak Abhay ki maa Anny ke papa ke piche khadi thi Anny ke maa ke saath aur woh aayi Anny ke paas aur kaha, “Shaabaash beti, shaabaash bahot khub sila diya tumne mere bête ke pyar ka jawo khush raho, chalo tum donon yeh log kuch nahin samajhte pata nahin kyun mere bête ne iss ladki ko apnaya tha!”

Aur niraash hokar weh log Anny ke yahan se nikle. Raatse mein lawtte waqt Iqbal ne kaha, “Yeh Anny ko kia ho gaya kyun ussne eisa kaha Abhay ke liye? Woh to diwani thi usska?!” Abhay ki mummy boli, “Woh apne pyar ko qurbaan kar rahi hai bête, woh apne papa ke liye apne pyar ka balidaan de rahi hai, usski maa ne andar mujhko sab kuch bataya. Ab woh bhi kia karein bechaari, woh bhi to musibat ki maari hai chalo jane do kehte hai na ke jo hota hai ache ke liye hota hai shaayad iss mein bhi kuch achcha hi ho! Rehne do bhool jawo sab kuch ab bus apne Abhi ka ziada khayaak rakhna hai…..” to donon ne ek hi awaaz mein kaha, “Han maa ji zaroor hum sab Abhi ka ziada khayaal rakheinguey.”

Ghar lawtne par Abhay ki mummy bilkool heyraan rehgayi jab Abhay ne poocha, “Kyun maa apni beizati karwa aayi Anny ke ghar se nah?” Mummy ji ki dil ki dhadkan tez ho gayi aur Abhay ke kareeb jaakar usske paas baith kar poocha, “Tumko keise pata chala ke main wahan se aarahi hoon bête?”

Abhi bola, “Maa main khud nahin jaanta, jo kuch bhi Ananya se juda hota hai mujhko ek ajeeb se kashish si mehsoos hoti hai, usski tarap mujhko yahan feel hoti hai, aap logon ko ussne thukraayi hogi par iss waqt who apne kamre mein badh ro rahi hogi, uss par kia beet rahi hai mujhe achchi tarah se pata hai maa…. Woh khud hi jaanti hai ke kiss tarah ussne apne papa ko han kaha kissi ko naa chahte huwe bhi apne pati maanne ke liye…zara usski jagah hokar sochiye na maa kitni takliff mein hai woh iss waqt!”

Apne bête ke inn baton ko sunkar usski maa ki enkhen bharr aayi aur Abhay ko zor se seene se lagaakar rote huwe kaha, “Tu kiss mitti ka bana hai re Abhay? Tujhpar khud itna kuch beet raha hai aur tu phir bhi usski taklifon ke bare mein soch raha hai? Keisa pyar hai re tera? Bhagwaan eise pyar ko kyun juda kar raha hai bhala?” Aur sar upar uthaakar aasmaan ki taraf dekhte huwe mummy ji ne kaha “Kia baat hai ey upar wale mere bête ko chain aur sukoon de!”

Abhay ek diwane ki tarah zameen par baitha huwa tha deewaar se peeth kiye huwe aur chehra bilkool uthra huwa tha usska, shakal se bilkool paagal dikh raha tha, balke lag raha tha ke ek bewda baitha hai zameen par khayaalon mein dooba huwa.

Raat ke 10 baje Abhay achanak apne kamre se nikla aur maa ke paas aakar kaha, “Maa mujhko har cheez mein sirf Anny dikhaayi de rahi hai, usski bahot yaad aarahi hai maa, pata nahin woh kiss haal mein hogi iss waqt, woh tarap rahi hogi maa…. Mujhse raha nahin jaa raha maa, har taraf usski tasveer dikhaayi de rahi hai, apne kamre ke har cheez mein Anny bassi huwi hai, maa, TV set par, bistar par, farsh par, zameen par, takiye par, chaadar par har jaga sirf Anny dikh rahi hai maa main ussko nahin bhoola pawunga maa main kia karun maa main kia karun…..” yeh kehte kehte woh ek chote bache ki tarah rone laga aur maa ne ussko seene se lagate huwe kaha, “bus bus chup hoja, yeh tera pyar hai usske liye issi liye tujhko eisa lag raha hai, usski fikar chorr aur apne bare mein soch, kia woh khush hogi agar ussko pata chala ke tu itna udaas hai aur ro raha hai? Hmm tumko khushi khushi ussko jane dena chahiye, apne dil se bhi aur dimaagh se bhi….ahiste ahiste sab thik ho jaega bête…bus soja ab, aaj yahin mama ke paas soja mere laal…….”

Maa gehri neendh mein thi jab raat ke 2 baje Abhay ghar se nikla….. din mein Anny ki shaadi hone wali thi…. Abhay ko yeh yaad tha…… ek paisa bhi jeb mein nahin, uss ka switch off mobile jeb mein, ek tshirt, jean aur jacket pehne huwe Abhay chal pada, kidhar ke liye kissi ko pata nahin……..

To be continued……………
 
Dimaagh ka garam, Dil ka naram
365
69
28
Update 46

Din huwa, Ananya ke ghar mein shaadi ka maahaul tha. Bahot saare rishtedaar aaye huwe the…… magar, iss se pehle, subha 3 baje Ananya bistar par karwatein badal rahi thi, bechain thi, aur neend kahan thi ussko bhi….. aur yaaro dekho sachi muhabat ki taaqat… jiss waqt Abhi wahan se guzar raha tha diwane ki tarah, subha ke 3 baja tha, woh apne ghar se 2 baje nikla tha aur paidal chalte chalte ek ghante mein Anny ke ghar ke paas se guzra usski kamre ke taraf dekhte huwe…. Andhera tha magar street lights ki roshni jagah jagah par the….. Abhay bus chand lamhon ke liye Anny ke gate ke paas ruka, dil ko thaame huwe Anny ke kamre ke taraf ek bahot udaas nazar se dekha, mann kiya ke wahan jaakar usski khirki khatkhatayein magar nahi gaya….. aur aguey raaste par chalne laga…. Ab thik ussi waqt jiss dum woh ruk kar Anny ke kamre ke taraf dekh raha tha, andar Anny ka dil zoron se dhadka aur Abhi ki bahot yaad aayi aur ussko laga ke Abhi baahar usska intezaar kar raha hai aur Anny ko Abhi ki phukaar sunaaayi di. Anny ne yeh suna, “Jaan khirki kholo na ek baar, main tujhko, tere khub surat chehre ko ek aakhri baar dekhna chahta hoon please kholo na!” Abhi ne yeh baatein dil main kaha tha raaste par se gate ke paas khada hokar, aur usski dil ki awaaz Anny tak pohonch gayi… isse kehte hein pyar ka taaqat. Magar budkismati dekho, jab Anny ne khirki kholi baahar dekhne ko to Abhi jaa raha tha aur uss kone tak pohonch gaya tha jahan se Anny ko sirf ek jhalak dikhaayi di. Anny ne street lights ki roshni mein achchi tarah se dekha ke woh Abhay hi tha. Anny ka dil ne Abhi ko phukaarna chaha, usska mann dawd kar Abhi ke piche jaane ko kiya, magar keise phukaarti subha ke 3 baje, sanata tha usske papa sun leta, Anny ahiste ahiste rone lagi aur mann hi mann sochne lagi ke iss waqt Abhi kahan jaa raha hai……..

Abhay ki maa jaagi to Abhay ko apne paas naa paakar socha ke woh apne kamre mein apne bistar par chala gaya hoga. To woh rasoyi mein chali gayi chae banane aur kaam kaaj karne ke liye. Araam se ghar ke sab kaam kaaj kar rahi thi aur din ke 10 baje tak Abhay ka kamra khol kar ussko jagane ko gayi. Abhay ko naa dekh kar usska dil machal gaya, chehra laal ho gayi aur dil zoron se dhadakne laga. Ussne badbadaaya, “Kahan hoga mera bachcha? Bistar to thik thaak hai, ussne bichawna kar bhi diya? Kab jaaga? Main soch rahi thi ke do din thik se soya nahin to neendh mein hoga, hey Bhagwaan kia karun? Han usska mobile yahan nahin hai phone karke pata lagati hoon.”

Mummy ji ne Abhay ke number lagaya magar woh to switch off tha kahan se line lagega, automatic jawaab araha tha ke mobile off hai…. To maa ji ghabraa si gayi aur jaldi se Iqbal ko phone kiya aur poocha ke kia Abhi uss se milne ko aya? Wahan nahin tha to Vinay se poocha wahan bhi nahin mila to sab ghar se nikle, aur school gaye dekhne ke kahin wahan to nahin jaakar soya huwa hai……

Dance school sab ponhche, Iqbal, Vinay aur mummy ji. Abhay ko naa paakar woh rone lagi yeh kehte, “Kahan gaya mera laal? Kahin woh kuch kar na baithe, pata nahin usska dimaaghi haalat keisa tha…. Hey Bhagwaan mere bachche ki rakshah karna…..” Iqbal aur Vinay ek dusre ko dekh rahe the kyunke donon ke mann mein uss waqt ek hi khayaal araha tha. Ananya! Donon ne ek saath kaha, “Anny!! chalo wahan chalte hein woh zaroor wahan milega aaj Anny ki shaadi hai woh wahin gaya hoga chalo jaldi….”

Aur teenon dhadpaate huwe nikle Ananya ke ghar ke taraf. Din ke barah bajne ko tha aur Anny ke ghar mehmaanon se bhara huwa tha. Raaste se lekar angne mein aur ghar mein bhi log bhare huwe the, Anny ke papa aur mummy ke sabhi rishtedaar aaye huwe the ab Abhay ki maa ne kaha donon se , “Ab kia karein, kal hi yahan se maayoos hokar, be-izat hokar nikle ab itne logon ke beech??.....” Ikbal ne kadak awaaz mein kaha, “Mummy ji Abhi ke liye kuch bhi…. Agar phir be-izat hona hai to bhi chalega, Abhi ke liye hazaar baar bhi be-izat hona pade to koyi baat nahin, chalo Vinay andar chalo…..” Aur gambhirrta ke saath apna chaati upar uthaaye mazboot kadmon ke saath Iqbal Anny ke gate ke andar daakhil huwa aur Vinay aur Abhy ke maa usske piche piche gaye…..

Log teenon ko ghurr rahe the kyunke yeh teenon mamooli libaas mein the aur sab shaadi attend karne ke liye behtareen kapdon mein the. Keise bhi karke Iqbal ghar ke andar ghuss gaya aur Anny ke kamre ki talaash karne laga magar beech mein Varma saab se takra gaye…… Aur ussne Iqbal ko rokte huwe huwe apne danton ko peeste huwe kuch dhire se kaha, “Tumhari himmat keise huwi mere ghar ke andar ane ki? Abhi ke abhi tumko sabhi logon se pitwaun kia? Bol !!” Iqbaal ne apne aap par kaabu rakhe huwe kaha,

“Dekho sahab hum log bahot pareshaan hai Abhay kahin nahin mil raha kia woh yahan aya hai?”

Varma sahab heyraani mein aur nakli muskurahat dikhaate huwe kaha,

“Dimaagh ki batti gul ho gayi hai kia tera? Woh yahan kyun ane laga? Chal phoot yahan se mere yahan gunde mawaaliyon ki koyi zaroorat nahin hai.”

Vinay kuch paas aakar ke bola, “Abe oye Varma pehle yeh to dekh ke teri beti apne kamre mein hai bhi ke nahin tab bakna tum!” Yeh sunkar Varma ji chohonk gaye aur tez kadmon ke saath Anny ke kamre ke taraf badha. Vinay ne jaan boojh kar weisa kaha taake unnko Anny ke kamre ka pata chale, aur woh sab usske piche piche Anny ke kamre tak gaye aur donon zabardasti Anny se mile aur Abhay ke bare mein bataya, to Anny ne kaha ke subha 3 baje woh uss taraf jaa raha tha ussne dekha…..

Ab socho yaaro Anny ki dimaaghi haalat kia hogi uss waqt, thodi der mein usski shaadi hone wali thi aur ab eisa khabar aya usske pyar ka, uss haalat mein ussko apne papa ke khushi ke liye apne zindagi ki sab se ehem din ko jeena hai magar weisi haalat mein….. kia haal hogi Anny ki uss waqt yeh sochne ki baat hai. Bus baith kar rone lagi aur apni saari make up, dulhan ke kapde sab bheego diye apne ensoowon se…..

Aur tab tak Varma saahab teenon ko ghar se baahar nikaal hi raha tha ke Abhay ke mummy ne kaha,

“Varma sahab, kia kaha aapne inn bachchon ko? Gunda mawali? Saleem bhai ko gunda kaha aap ne? Aap agar chain ki neend sote ho iss ilaake mein to woh Saleem bhai ke badawlat hai. Aap aur aapki patni aur beti agar araam se raste par chalte hein to woh Saleem bhai jeise logon ke badawlat hai, are aap to Saleem bhai ke thook ke barabar bhi nahin ho, aur mere bachche agar Saleem bhai ka saath dete hein to mere liye iss se badi garv ki baat aur kuch nahin. Pehle baat ko jaanon phir ilzaam lagana kissi par! Bade aaye gunda mawali kehne wala nadaan insaan!”

Aur sab nikle wahan se aur Abhay ko dhundne gaye jiss taraf ka ishara Ananya ne kiya. Sham 6 Baje tak thake hare bina khaye piye dhundte rahe, bahot saare logon se pooche magar Abhi ka kahin pata nahin chala aur ghar ko wapas gaye sab….. Abhay ki maa bahot ro rahi thi ghar mein akeli apne bête ki fikar mein. Usska mobile ko try kiye jaa rahi thi magar koyi faeda nahin…… Udhar Vinay aur Iqbal ke samajh mein nahin araha tha ke kia kiya jaye….. aur raat ke 10 baje Vinay Iqbal ke yahan gaya aur decide kiya ke Saleem bhai ko sab batana chahiye, aur kia pata Abhay usske yahan ho?!

Udhar Ananya ki shaadi ho gayi aur woh ek naye ghar mein chali gayi apne sheher se 500 kilometres door. Jeise hi Ananya uss ghar mein ponhchi, ghar ke lounge mein baithi hi thi ke ek police ka jeep aya, aur police wale usske pati ko hatkadi lagaakar saath legaye!!

Udhar donon Abhay ke dost ghar se nikle raat ko hi Saleem bhai ke ghar ke liye……

To be continued………….
 
Dimaagh ka garam, Dil ka naram
365
69
28
Update 47

Vinay aur Iqbal Saleem bhai ke yahan gaye raat ko gyarah baje ke kareeb. Saleem bhai ne uss waqt bhi donon ka istekbaal kiya aur donon ne puri wakiya bayaan kiya usske saamne Abhay aur Ananya ke bare mein. Saleem bhai pachtaaye aur donon se kaha ke kyun iss se pehle ussko inn sab baatob ke bare mein nahin bataya kissi ne? Kyun Ananya ki shaadi se pehle nahin kaha ussko, woh Ananya ke baap ko sab bata deta aur usski ghalat faimi door kar deta!! To donon ne kaha ke Abhay ne mana kiya huwa tha aur shaayad Abhi chahta bhi tha ke Anny apne baaap ka hukum maan kar dusri jagah shaadi karle ek achchi beti ki tarah. Aur wohi Ananya ne kiya. Tab Saleem bhai ne kaha,

“Issi liye uss ladke ko main bahot pyar karta hoon. Laakhon mein ek hai woh ladka. Ek achche insaan ke saath saath ek bahot acha beta aur dost bhi hai aur behtareen shawhar saabit hota woh to. Uss Varma ko pata nahin ke uss ne kia khoya Abhay ko khokar! Abhay ka baap bachpan mein guzar gaya, to ussko baap ka pyar kia hota hai yeh pata hai ussko issi liye ussne uss ladki ko apne baap ka agyah ka paalan karne diya! Jisska baap nahin hota na woh baap ke pyar aur izat ko behtar samajhta hai. Magar ab kahan gaya hoga ladka? Iss raat mein kahan dhundein ussko, ek baar woh apna dimaaghi santoolan kho baitha hai ek ladki ke pyar ko khokar pata nahin usska dimaaghi haalat kia hoga iss waqt aur kahan hoga woh!!” AAakhir mein unn logon ne decide kiya ke kyunke raat ke barah baj gaye the kal subha ko nikleinguey Abhay ki talaash mein to donon dost wapas ghar chale gaye.


Udhar Abhay chalte chalte khud pata nahin kahan nikal gaya. Apne aap ko ek peyr ke niche paaya, aur uth kar phir chalne laga. Chalta gaya, chalta gaya aur chalta hi gaya raaste ke saath bina manzil, bina humsafar; akela; tanha; chalta hi gaya sheher ba sheher, dar ba dar, chalta hi gaya diwane ki tarah.Na khana na pina bus itna chala din aur raat kabhi rate par to kabhi nadi bhi paar kar raha tha aur ek sham ko khud ko ek sehra ke karib paya aur door se ek jeep ate huwe nazar aya aur uss mein chaar paanch log dikhaayi diya ussko aur thakaan ke mare woh garam reth par leth gaya. Jeep karib aayi to uss mein se kuch log nikle aur ek aadmi unn mein se Abhay ke girehbaan pakar kar uthaya aur ek ghunssa maarte huwe kaha, “Kyun be? Uss din bada dadagiri dikha raha tha ab bol kia karega?” Abhay ko to kuch hosh nahin tha aur kissi ko pehchaan bhi nahin raha tha aur ajeeb nazron se khayaalon mein doobe huwe uss aadmi ko dekh raha tha tab tak uss aadmi ne ek do laat aur mukka aur mara Abhay ko aur usska chehre se khoon behne laga magar Abhay apne aap ko defend nahin kar raha tha, uss aadmi se maar kha raha tha bina apna bachaaw kiye. Woh aadmi kaun tha?

Aur Ananya ke taraf to maamla aur bhi sangeen ho gaya tha. Wahan huwa yeh ke usske pati ko police wale iss liye uthkar legaye the kyun ke woh drug ke dhande mein involve tha. Police ke paas kuch eise saboot lage the ke usska chhuthna namumkin tha. Usske dushman wale party ne usske photos aur filmi clip bhi diye the police ko jiss mein woh drug ka dealing kar raha tha, aur paise le raha tha, police bahot dinon se uss ke piche tha magar kabhi pakar mein nahin araha tha woh; aur pakra bhi gaya to thik apne shaadi ke din! Baap to bada businessman tha magar beta drugs mein mubtela tha. Apne baap ka naam bilkool badnaam kar diya ussne khud yeh sochkar, aur apne pure family mein shakal nahin dikha payega, nayi dulhan ko kia shakal dikhayega yeh sab sochkar ussne khud phansi laga liya hawaalaat mein!

Dusre din subha ko Ananya ke sasural mein usske laash lekar police wale gaye! Ab sochne ki baat hai shaadi ke ghar mein ek arthi woh bhi dulhe ka!!! Ananya ki sudh budh nahin rahi woh bhi diwani ki tarah Abhay ko aur usske dil se nikle aahh ko soch rahi thi khud se chilla kar rote huwe Ananya ke kaha, “Abhi! Abhi main ne tumhare dil ko toda wohi sazaa mili hai mujhe shaadi hote hi vidwa ban gayi main Abhi, mujhe maaf kar dena Abhi!!!!!” zor zor se Anny roti gayi…… magar usski saas aakar ussko jhagjhorrte huwe kaha,

“Are kalmuyi, chudail, dayan, atey hi mere bête ko khaa gayi chal nikal iss ghar se dayan kahin ki, aji sunte ho issko wapas isske baap ke ghar chorr do abi ke abhi nahin to main issko jaan se maar dalungi!”

Ananya ko apne baap ke ghar wapas kiya gaya shaadi ke dusre hi din!! Anny ke baap ki bolti bilkool band ho gayi. Vidwa dulhan usske ghar mein wapas! Apne sar donon haathon mein thaamein paagal ki tarah baitha tha aur Anny apne kamre mein band roti jaa rahi thi. Rote rote Anny ko Abhay ka khayaal aya aur ghusse mein apne papa ke paas aayi aur kaha, “Ab to aap ke dil ko sukoon mil gaya hoga na papa? Main ne uss se shaadi ki jissko aap ne mere liye chuna, aur aap ne natija dekh liye, vidwa bane aap ke ghar mein wapas padi hoon….. magar ab aap mujhko mat rokiye, mujhe mera mobile wapas dijiye mujhe Abhi se abhi ke abhi baat karni hai, apne dil ka dukhda sirf ussi ke saath ro sakti hoon main aur koyi nahin mujhe samamjhne wala… agar woh chahta to mujhe bhaga kar le ja sakta tha magar ussne eisa nahin kiya, woh mujhse raat ke 3 baje milne aya tha han!! Yahin issi khirki ke paas main uss se mili bhi thi magar uss ne aap ki izat ko nahin uchala! Mujhe yahin chorr diya!! Aap mujhe phone dete hein ya main kuch kar baithun? Main apne aap ko maar dalungi mujhe phone do abhi issi waqt!!” Anny itne zor se chillaayi ke usska baap darr gaya ke kahin woh sach mooch kuch kar na baithe aur usska mobile ussko wapas de diya aur apne ghar ke land line bhi wapas laga diya ussne!

Ussi waqt udhar Saleem bhai aur Abhay ke donon dost Anny ke ghar ke saamne se guzar kar jaa rahe the Abhi ko dhundne ke liye. Ke achaanak Iqbal ka mobile baja aur ussne liya to Anny ne rote huwe kaha, “Iqbal mera Abhi kahan hai keisa hai woh? Kyun usska mobile nahin baj raha? Batawo mujhe main uss se issi waqt milna chahti hoon!! Ussko lekar mere ghar awo jaldi Iqbal please Iqbal main mar jawungi! Main ne apne Abhi ko bahot dukh diya ussko bahot tadpaya, mujhe usski sazaa mil gayi iqbal mere Abhi ko le ao Iqbal!”

Iqbal ekdum heyraan Vinay ke chehre ko dekh raha tha jab ke Vinay haathon ke ishaare se uss se pooch raha tha ke kia baat hai, aur Iqbal ne Anny se ussi heyraan andaaz mein poocha, “Anny tum ne kia kaha? TUMHARE GHAR? Tum kahan ho iss waqt Anny?” Anny ne jawaab diya, “Han Iqbal mere ghar, mere papa ke ghar, main yahin hoon!” To Iqbal ne ishare se Vinay ko gadi park karne ko kaha aur Anny se poocha, “Anny tum to shaadi karke apne sasural gayi ho nah? Kia huwa tum keise apne papa ke ghar mein ho? Kal to tum shaadi karke apne pati ke ghar gaye nah?

To be continued……………
 
Dimaagh ka garam, Dil ka naram
365
69
28
Update 48
Anny ne bilatte rote huwe Iqbal ko apne daastaan sunaayi, aur Iqbal ke haath peyr kaampne lage aur Anny se kaha, “Hum abhi ate hein Anny!” Saleem bhai aur Vinay bilkool heyraan Iqbal ke baton ko sunkar andaza lagane ki koshish kar rahe the ke kia huwa hoga ab Ananya ko. Tab phone kaat kar Iqbal ne tooti awaaz mein kaha, “Vinay gaadi mor, wapas chal Anny ke ghar issi waqt yaar chal!!” kyunke jab tak baat kar raha tha gaadi ko park karne se pehle woh log Anny ke ghar ko koyi 5/7 kiometres se paar kar chuke the. Ab wapas jate jate Iqbal ne sab wakiya Saleem bhai aur Vinay ko sunaya ke Anny ke husband ne atmahatiya karli aur who apne ghar wapas agayi hai!! Aur sabhi baton ko bataya jo Anny ne ussko phone par batayi. Yehi ke usske saas ne ussko keise keise gande baatein bole…..

To teenon ab Anny ke ghar gaye! Ab uss manzar ko socho. Saleem bhai hamesha apne lambe talwaar ko saath lekar chalta tha, yeh usska style tha. Aur uss talwaar ko ek laathi ki tarah bhi istemaal karta tha aksar. Aur ek baar phir Varma sahab ke

saamne Saleem bhai wohi Iqbal aur Vinay ke saath magar iss baar usske ghar mein mawjood the! Inhi teenon ko Abhay ke saath ussne uss raat ko uss ghar mein dekha tha aur aaj usske ghar mein sab haazir the aur usska bolti band tha kyun ke uss ka dimaagh ka batti sach mein gul ho gaya tha uss waqt Anny ke haaadse ko lekar. Halaan ke mawka bada naazuk tha Iqbal ne jab Varma ji ko dekha phir Saleem bhai ke chehre ko dekha aur phir Vinay ko dekha to ussko hanssi agaya magar apne hanssi ko ussne andar hi dabaya! Ussko hanssi iss baat par aya ke jitna nafrat Varma ji Saleem bhai se karte the uss waqt shaayad utna hi majboor aur laachaar the unn teenon ko khud apne ghar mein paakar! Kal hi ussne sabko gunda mawali kaha tha aur aaj yehi gunde aur mawali usske ghar mein the aur who khamosh baitha tha bina ek lavz kahe!

Teenon ne ussko kuch nahin kaha aur seedha Anny se milne ko gaye…. Anny zor zor se rote huwe Vinay aur Iqbal se Abhay ke bare mein poochte huwe ussko peeche ke taraf dhund rahi thi. Magar jab unn logon ne bataya ke Abhay lapata hai to Anny behosh girr gayi.

Usski maa aayi ussko sambhaalne aur dekhne ke liuye tab tak Saleem bhai aur donon dost Varma ji ke paas gaye lounge mein.

Saleem bhai ek ghusse bhare muskaan mein Varma saab ke enkhon mein dekhte huwe apni mazboot goonjte huwe awaaz mein bola,

“Yeh kahawat suna hoga na tumne ke,

Muddayi laakh bura chahe to kia hota hai
Wohi hota hai jo mazoor-e-Khuda hota hai’


Ab khud dekhlo Khuda ko kia manzoor tha, dikhaayi diya ke nahin? Enkhon par patti bandha hai Varma ke bachche? Mere Khuda ko bilkool manzoor nahin tha ke tu Iss ladki ka rishta kahin aur kare! Tor diya rishte ko mere Khuda ne! Tujhko thapad mara hai upar wale ne ! Thapad padi na tere munh par? Ab kia karega? Apni beti ka aachaar dalega agar Abhay nahin mila to? Upar wale ne thapad aur laat mara tere gaand par kyun ke tu kudrat ke khilaaf gaya. Upar wale ne Abhay ko Ananya ke liye aur Ananya ko Abhay ke liye banaya hai to tu kaun hota hai isski shaadi kissi aur ke saath karne wala be?! Dekha kia huwa ab bhi kuch dikhaayi de raha hai ya dimaagh sun ho gaya hai tera?

Usski goonjti huwi awaaz ne Anny ko wapas hosh mein laya aur woh ahiste ahiste lounge mein aakar kuch door khade hokar Saleem bhai ki batein sun rahi thi aur donon dost bhi khade Saleem bhai ke attitude ko nihaar rahe the. Kia mard tha woh, kia style tha usska, kia ajeeb o gharib insaan tha woh, kuch khaas hone wala hai lagta tha ya kuch ajeeb batane wala hai Saleem bhai sab ko eisa lagta tha. Iqbal ne socha jiss baat ko zaahir karne ke liye Abhay ne mana kiya huwa tha itne dinon se shaayd aaj khud Saleem bhai sab raaz par se parda faash karega aur donon dost uss intezaar mein the aur kabhi Varma ji ko to kabhi Anny aur Saleem bhai par nazrein jamaye baithe the donon dost.

Aur Saleem bhai apne kadak awaaz mein, kuch ghusse mein to kabhie ek muskaan ke saath magar enkhon mein jeise khoon khaul raha ho, apne bayaan ko jaari rakha,

“Tum mujhko gunda samajhta hai nah? Iss vajah se inn bachchon ko bhi gunda kehta hai, sirf iss liye ke uss raat ko uss kamine ke ghar mein humko dekh liya tha? Tumko batawun main kaun hoon? Batawun? Are agar main nahin hota to tu chain ki sannss ke liye tarapta iss sheher mein! Tujh jeise logon ke hifaazat ke liye main mahinon bhar gundon ke saath jail mein rehta hoon apna ghar hote huwe!- Main kaun hoon? Kaun hoon main?” Aur ghusse se apna sarkaari id card jeb se nikaal kar Varma ji ke saamne table par phekte huwe ziada kadak awaaz mein Saleem bhai enkhon mein ensoo liye kehta hai kuch tharthataraate awaaz mein,

“Police ka aadmi hoon main- special squad- special secret branch, Sarkaar ke police department mein sirf 11 hein mere tarah desh bhar mein jo apne ghar baar chod kar mahinon bhar gundon ke saath jail mein jaakar sote hein khatmal ke saath!! Tum kar sakte ho yeh? Marr jawoge magar nahin kar pawoge! Hum Gunde mawali ke beech gunda bankar ghumte hein unn logon ka ata pata aur kaarobaar dekhne ke liye phir khufie tarike se dusre branch ko pata karte hein aur khud unn logon ke saath pakre jate hein aur jail bhi jaate hein taake unn logon ko kabhi shak na ho ke hum police ke aadmi hai! Dus saal se kar raha hoon aur kissi mafia wale ko aaj tak pata nahin chala ke main kaun hoon. Aaj tak weh sab mujhko apne biradari ka samajhte hein aur aaj bhi main unn logon ke kaarobaar ko police ko batata hoon aur unnko pakarwata hoon. Yeh dekh varma ke bachche,………” Aur Saleem bhai ne apna ek peyr par khada hokar donon hathon se apne ghutne ko zor se pakra aur khincha to uss ke aadha peyr baahar nikal ayaa!! Usska dayina peyr nakli tha..accident mein police ke kaam mein peyr kho diya hum logon ke hifazat karte huwe……..

“Aur kuch batawwun? Hmm?? Main 20 saal Canada police force mein tha. Iraq ki jung mein shaamil tha US army mein Canada army ke taraf se- Iraq mein ek zameen par rakhe mine par chal pada main…. Mine kia hota hao pata hai nah? Wohi bombs jo zameen mein mitti ke niche gaarte hein…. Kuch pata nahin chalta ke wahan kuch hai, reth ke niche chupa rehta hai….main ek soldier ko bachane ke liye daud raha tha aur uss waqt samaye nahin tha ke mine ka khayaal karun bus apne dost ko bachaane ke liye dawda aur ek peyr pad gaya uss zaalim mine par aur ussne mera ek peyr kha liya sala!!”

Aur kuch kahun??

Yaro agar yeh ek filmi script hota to main Saleem bhai ki character ko ziada scope deta… ab flashback mein jata aur Saleem bhai ki entry koyi 10 saal pehle jab woh jawaan tha ek zabardast action scene mein dikhata…. Bina dhadi ke, Canada police uniform mein ek mafia ka picha karta huwa tez raftaar se police ki car bhagaate huwe Saleem bhai nazar ate hein……. Kia main iss ko jaari rakhun Saleem bhai ki character ko flash back mein ya nahin? Aap log bataye phir age badhunga…… ab tak ke liye itna kaafi hai


To be continued……………….
 
Dimaagh ka garam, Dil ka naram
365
69
28
Update 49 Flash back of Saleem bhai

Ab Kyun ke Saleem bhai khud par guzre huwe waqt suna rahe the wahan mawjood logon ko, sab log apne apne nazarye se tasveer ke roop mein uss ke bole huwe shabdon ko dekh rahe the.

Saleem bhai, bachpan mein hi Canada chale gaye the apne parivaar ke saath kyun ke uss ke daddy wahan ek bade khaarkhane mein naukri karte the. Aur phir Saleem bhai ne wahin taalim haasil ki aur naukri bhi wahin mil gayi police mein. Ab kabhi kabhaar apne desh mein chutiyon par ghumne ko ate the apne parivaar ke saath.Canada ke police mein Saleem bhai ko naukri apne pehelwaan jeise jism ki wajah se mili. Physically bahot hi mazboot the aur bahot ooncha kad tha, ziada hi chawda seena aur baazu to aam logon ke do, teen baazuwon ko milaakar uss ke ek baazu banta tha!

Khair jeise ke main ne kaha ek filmi script ki tarah main ne socha ke agar Saleem bhai ko present karta to kuch eisa hoga…….

Canada ke lambe chawde raaston se ek latest model ki safed rang ke Mercedes gaadi bahot hi tez raftaar se bhaagte huwe nazar ate hein, samajhlo ke ek helicopter se shoot kiya gaya scene dikh raha tha, uss gaadi ke piche ek Canada ki police ki car oonche surr mein siren bajaate huwe uss Mercedes ke piche utne hi tezi ke saath chale jaa rahe the. Raftaar koyi 170 se 200 miles per hour ki hogi. Ab weise raftaar mein agar ek lamhe ke liye idhar ya udhar huwa to mawt saamne paya jata!

Samne wale car mein se goliyan bhi chal rahe the Saleem bhai ki gadi par. Magar goliyan car se takrakar rukh badal lete the. Ek sheher mein daakhil hote hi traffic ki vaja se raftaar kum huwa to ek gali se dusre gali phir teesre se chawthe galiyon mein mor par mor se guzarte huwe donon gadiyan ek dusre ke piche bachon ke khelte huwe khilawnon ki tarah nazar aa rahe the. Aaakhir mein Mercedes ke kuch kareeb ane ke baad Police ke gadi mein se ek haath revolver sameth baahar nikalte huwe dikhaayi deta hai aur ek hi nishaane se saamne wale Mercedes ke pahye par goli chalata hai, Mercedes left se right, phir right se left machalta hai phir bhi chala hi jaata hai aguey ki taraf bina raftaar kum kiye.

Tab kala chasma pehne huwe uss Police ki car mein Saleem bhai par rukh hoti hai, aur woh ghusse mein danton ko peeste huwe driving wheel ko kabhi daayein to kabhi baaayein ghumaate huwe dikhaayi deta hai….. Usske baad ek seedha aur bahot hi lamba raasta saamne hota hai, ek taraf kuch jangal jeisa nazara dikhte hein aur dusre taraf pahaariyon se saje huwe khubsurat manzar hote hein. Aguey ki car mein do log the jo mafia ke aadmi the, terrorist se mile huwe bomb ke maamle mein pehchaane gaye log the jissko Saleem bhai ne ek restaurant ke karib se picha karna shuru kiya tha. ‘Shoot at sight’ ka order mila huwa tha kayi dinon se. Saleem bhai bahot hi imaandaar police officer tha aur apna kaam bahot dil lagaakar karta tha aur wahan ke police mein kaafi naam kama chukka tha. Inspector to nahin tha magar sab ussko izat dete the kyunke sab ko pata tha ke woh kitna mehnati aur imaadaar hai. Police department mein sab ussko jaante the aur woh Canadian to nahin tha na, desi hokar goron ke beech unn se bhi behtar kaam karoge to pehchaan to hoga hi!

Phir kyunke raasta seedah aur lamba tha Saleem bhai ne phir apne revolver ko baahar kiya dusre taraf se, aur piche ke ek dusra payya par goli mara saamne wale Mercedes par….. bus ek second bhi nahin guzra, samajhlo ke palkon ko jhapakte hi saamne wale gaadi itna ooncha hawa mein uda, jitna ooncha ek double decker bus hota hai aur Mercedes 6 baar zameen par gir kar ulta, phir upar gaya, phir zameen par eisa 6 baar huwa aur car ke purze hawa mein udte nazar arahe the, Car ke darvaza khulta aur band ho raha tha uss dawraan…….

Phir Saleem bhai peeche zoron se brake maarte huwe driving wheel par apne chawde chaati ko dabate huwe dikhayi dete hein….. Jab saamne wale Mercedes ek patahr se takrakar ruk jate hein to Saleem bhai apne car ka darwaza kholta hai aur har filmon ki tarah pehle usske joote nazar ate hein , car se nikalte huwe, phir dhire dhire usske peyr dikhte hein, aur ahiste ahiste uss ke lambe kad tak camera pohonchta hai phir ek lamba, chawda Canada ki uniform mein police officer car se bahar nikal khada hota hai saamne wale Mercedes par nazar jamaaye huwe. Slow motion mein apne car se chalte huwe haath mein revolver liye Saleem bhai dikhaayi deta hai uss zameen par chaar payyon upar wale Mercedes ki taraf jate huwe….

Donon haath se Revolver thaame huwe jab woh ulte huwe Mercedes ke kaarib hota hai to Car ke taraf revolver ke naali kiye huwe zara jhhuk kar Car ke andar dekhta hai phir apne ek laat se Car ki dayein taraf wale darwaze ko khol kar ek kadam peeche hatta hai to andar se khoon mein latpath ek African origin ka aadmi zameen par ata hai, phir Saleem bhai uss jism ke karib ata hai, gunpoint par liye huwe apne laat se hi ussko hilata hai, aur jab woh aadmi bilkool nahin hilta tab Saleem bhai usske karib apne peyron par baith kar usske naak ke naalion ke paas apna haath rakh kar dekhta hai ke woh saanns le raha hai ya nahin, to pata chalta hai ke woh marr chukka hai…. Tab Saleem bhai car ke dusre taraf jata hai aur weise hi, ussi andaaz mein dusre darwaze ko kholta hai, aur uss taraf se ek gora aadmi, woh bhi ghaayal baahar nikal kar baith kar apna peeth car se lagakar hath jorta hai saleem bhai se….. Saleem bhai, apne pistol ko usske sar ke taraf kar ke khud dusre taraf dekhte huwe teen goliyan chalata hai uss addmi ke sar par phir bina mudh kar uss ko dekhe wapas apne car ki taraf slow motion mein jaate huwe nazar ate hein……

Phir usski gadi start hoti hai aur behtareen dhund mein uss police ki gaadi ko U-turn karke wapas jate huwe dikhaayi diya jaata hai. Ye tha Saleem bhai ki entry uss Canada ki zameen par.

To jab Iraq ki jung huwi US ne sabhi United Nation wale deshon se police aur military wale liye the Baghdad jane ke liye aur Canada ke team mein Saleem bhai mawjood the. Canada ke embassy se desh ke sarkaar ko Saleem bhai ke kaarnamon ka aur ache kaamon ki badhaayi di jaa chuki thi kayi baar. To apne desh mein Saleem bhai na hote huwe bhi pehle se mashoor the apne kaarnaamon ki vajah se. Phir Iraq mein woh haadsa pesh aya jab Saleem bhai ne ek taang gawa diya mine par kadam rakh kar, to wapas Canada gaya aur yeh khabar desh mein bhi aayi police department mein ke desh ka ek sipahi ghaayal ho gaya Iraq ke jung mein.

Usske baad koyi do saal baad desh ke sarkaar ne Saleem bhai ko wapas desh mein bulaya kaam karne ke liye aur tab se uss special squad mein secret police ke liye kaam karta hai. Police department mein weise aadmi ki zaroorat thi jo khud mafia ke saath milkar rahe aur khabar police ko dein aur waqt ane par unn logon ke saath khud jail jayein taake kissi ko kabhi shak naa ho ke woh police ka aadmi hai. To kayi saalon se desh mein Saleem bhai yehi kaam kar raha hai aur sach mein kayi baar jail gaaya mahinon bhar uss mafia ke logon ke saath guzara aur aaj tak kissi ko pata nahin ke woh police ka aadmi hai. Koyi bhi mamooli police inspector khud nahin jaante ke saleem bhai police ka aadmi hai, weh log bhi samamjhte hein ke woh ek mafia se mila huwa gunda hai…balke kayi police wale to Saleem bhai se darrte bhi hein aur police force ke special squad ne weisa hi chaha tha ke sabhi police wale bhi yehi soche ke Saleem bhai ek gunda hai. Koyi bhi chota mota gunda paida hota hai sheher mein to Saleem bhai ko pata chal jata hai aur turant ussko pakarwa deta hai, aur khud apne aadmiyon ko chaaron taraf pheylaya huwa hai ussne. Sab ussko gunda samajhte hein magar usska usool hai ke kabhi bhi kissi masoom par koyi takleef na ane diya jaye- jahan naa insaafi ho to turant ussko khabar kiya jaye, jahan zulm hota ho to woh turant ek gunde ka roop dhaaran karke situation ko sambhaalne ko chale jate aur hamesha kehte the Saleem bhai ke jab sidhi ungli se ghee nahin nikle to ungli mo tedha karna hi behtar hai, aur Varma ji ko yehi samjhaya ke wohi karne gaya tha uss raat uss raakesh ke saath jiss raat ko ussne teenon ko wahan dekha tha!!

Sab bayaan sunkar Varma ji Saleem bhai ke paon par girr pade rote huwe sajde ke position mein to Saleem bhai khada hogaya aur apne buland awaaz mein kaha, “abe oye Varma, mujhe sajda mat kar mujhe kufr ka darja mat de khuda ko muhn dikhana hai mujhe, insaan ka sajda karna mana hai mere mazhab mein uth aur maafi mangni hai to apni beti aur uss masoom Abhay se maangna, chalo bacho hum ab Abhay ko dhundne chalein pata nahin kahan chala gaya woh dil ka zakhmee bachcha, ya rab uss masoom ka hifazat karna mere mawla!”

To be continued……………
 
Dimaagh ka garam, Dil ka naram
365
69
28
Update 50

Ananya bhi saath gayi car mein Abhay ki talaash mein aur Varma sahab bhi. Bahot pachtawa ho raha tha Varma sahab ko ab sab sachaayi janne ke baad aur woh bilkool tayaar tha Abhi se maafi maangne ko aur apni beti ko usske hawale karne ko.

Vinay ne Abhi ki mummy ko phone karke sab maajra bataya aur woh ro padi Ananya ki daastaan sunkar magar usske dil ko tassalli huwi ke aakhir itne log to hein Abhi ko dhundne aur usska khayaal rakhne ke liye. Saleem bhai ne mobile se uss ilaake ke apne jaan pehchaan walon ko phone karke Abhi ka hulya bataya aur poocha ke kissi ne ussko uss taraf jaate dekha, magar kissi ko pata nahin tha. Saleem bhai ne phir aur kayi logon ko phone karke ussko dhundne ke liye kaha.

Raat ho gayi sheher sheher, gali gali dhundte huwe aur pooch taaj karte huwe logon se magar Abhay nahin dikha, nahin mila aur sab thake hare ghar wapas gaye. Anny to behaal thi aur bahot ro rahi thi. Donon dost bahot pareshaan aur udaas the. Saleem bhai bhi bahot mayoos tha magar sab ko tassalli de raha tha ke koyi fikar na karein woh mil jaega jaldi hi aur dusre din khoj jaari rakhne ke liye decide kiya gaya.

Udhar jiss aadmi ne Abhi ko mara tha wohi tha jissko Abhi ne peeta tha usske student ko cherne par nashe ke haalat mein. Aur Abhi ghayal to tha dil se ab shareer bhi ghayal ho gaya tha phir bhi behaal woh chalte chala jaa raha tha kissi anjaan manzil ki taraf. Kissi nadi ke paas ponhcha uss sehra ko paar karne ke baad raat bhar chalne par aur nadi ke paas kuch apne aap ko saaf karke ek darkhat ke neeche so gaya, bilkool sunssan jaga tha, kissi insaan ka koyi nishaan bhi nahin tha udhar. Din bhar sota raha aur uthne par phir chalne laga…… usska dimaagh jeise khali tha kuch hosh nahin tha ke kaun hai, kahan jaa raha hai aur kia kar raha hai…. Dimaaghi haalat bilkool bigar gaya tha usska aur sab kuch bhool gaya tha…. Ek sadme se guzra tha pyar mein dhoka khakar aur yeh dusra sadma uss se bardaasht nahin huwa aur khud bina jaane dimaaghi santoolan kho baitha bechara Abhay.

Woh chalta gaya, chalta gaya, kayi din beet gaye, udhar sab log har roz nikalte the dhundne ko magar khaali haath wapas lawtte the…. Abhay ke paon ke joote ghiss gaye, chedh ho gaayi joote mein par, paon ghayal ho gaya, khoon nikal pada phir bhi woh chalta raha… woh chalta gaya bina ruke, usske kapde maile ho gaye, kahin kahin par phat bhi gaye kanton aur shaakhon ke beech se guzarte phir bhi woh chalta gaya….. Usske chehre par daadhi bahr gaye, baal sar par bilkool ulje huwe ek diwana, sharaabi ya paagal lag raha tha. Kayi dion se usske halq se awaaz bhi nahin nikli thi, khud ko pata nahin tha ke bolta bhi ya nahin….

Ek mahine beet gaye…… Abhay ka pata nahin chala. Ananya ka bura haal tha. Ro ro kar ussne apna haal bigaar liya thaa aur apne papa par chillaya karti thi, aur woh bhi paagalon jeisi harkat kiya karti thi reh reh kar. Apne papa se jiss tarah se ghusse mein aur zor se baatein karti thi woh uss ne pehle kabhi nahin kiya tha…. Abhay ki maa ka bhi bahot bura haal tha. Abhay ke donon dost ussko milne jaya karte the aur hawsla dilaya karte the aksar. Saleem bhai ne police mein official entry karwaya Abhay ka missing hone ka tasveer ke saath.

Udhar Abhay ke baal aur daadhi lambe ho gaye aur pehchaanna mushkil tha. Mahine bhar mein Abhay ne ekaat din koyi phal khaya jo jangalon mein mila ussko varna paani pee kar raha. Patla sa ho gaya bechara….. joote phat gaye aur nange paon chalta raha tha….. koyi saat hazaar kilometers chalne ke baad utna door pohonchne par ek sham ko Abhay ek dargah ke saamne aakar girr pada. Woh dargah ek chota sa gaon mein, paya jata tha jahan sirf koyi 10 ya 15 ghar the aur khud dargah shareef unn gharon se kayi koss door tha.

Uss dargah par ek budha sa aadmi lambe safed daadhi wala raha karta tha wazife karte huwe. Usske chehre par jhuriyan pade huwe the aur usske enkhon se kum nazar ata tha. Log dargah jaate the to uss zaif aadmi ko khana de diya karte the. Ussko dargah wale baba bulate the sab.

Uss sham ko Abhay jab wahan gira to baba ne ussko uthakar khinchte huwe dargah ke andar legaya yeh badbadaate huwe, “Ab tu kaun hai? Kissi upar wale ka bheja huwa farishta to nahin jo insaan ke roop mein mujh gharib ka imtehaan lene ko aya hai!! Chal tera dekh bhaal karta hoon tujhe ek khuda ka bheja huwa farishta samajh kar issi bahane mujhe kuch sawaab to milega. Mujh fakir ke daaman mein hai bhi kia tujhko dene ke liye, ab tera khidmat hi to kar sakta hoon bus, bhooka pyasa lagta hai tu, shayad kismat ka mara hai meri tarah, chal andar chal mere saath……..”

Aur uss baba ne uss din se Abhay ko apne saath rakha, dekh bhaal kiya, khana pina apne hisse ka usske saath banta aur Abhay wahin rehne laga uss baba ke saath dargah mein!

Ab uss darga par door door se log aya karte the. Wahan ke log kum hi jaate the siwae ek do ke jo baba ko khana dene har roz jaya karte the. Baaki ziada tar baahar, door se aaye huwe log the jo baba ko paise ya khane pine ke samaaan aur kapde de diya karte the. To abhay ka wahan pohonchne ke baad log wahan jate to usske hisse ka bhi khana pina, kapde aur paise dete the. Iss tarah se Abhay dusre baba ban gaye uss dargah ke! Uss gaon ke log naye baba se milne ke liye aya karte magar sab kehte the yeh naya baba kabhi kuch bhi nahin bolta bus khaamosh rehta hai aur enkhon se sab ko ghurrta rehta hai……

Budhe baba ne laakh bhi Abhay se baatein kiye magar Abhay ne kabhi bhi ek lavz nahin bola. Bilkool khamosh rehta tha. Uss budhe baba ko samajh mein agaya ke woh kissi sadme ka shikaar huwa hai aur sudh budh kho baitha hai. To woh Abhi ka khayaal rakta. Hamesha Abhay se baatein karta rehta tha aur khud jawaab bhi deta tha. Abhay sirf usske enkhon mein ghurrta aur ussko upar se niche tak dekhta rehta. Budha baba ek din bola, “Yeh tere jeb mein telephone kisska hai? Tera hai ya kissi ka churaya huwa hai? Tu chorr hai kia? Kia police se bachchne ke liye yahan chupne ko aya hai aur dhong karta hai mere saath!! hein? Tu kaun hai bata to!” Tab Abhay ne apne mobile ko haath mein lekar ussko ek khilone ki tarah haath mein upar niche karke dekh raha tha, aur samajhne ki koshish kar raha tha ke woh kia hai aur keise usske paas hai….. lagta tha ke ek bandar ke haath mein ek khilona de diya ho aur ussko samajh meinj nahin ata ke woh uss ke saath kia karein…. Abhay ne uss mobile ko apne munh se lagaya aur danton se ussko kaatna chaha kuch khane ki cheez samajhkar, tab budhe baba ne uss se mobile ko chhina aur kaha, “are yeh khane ki cheez nahin hai iss se baatein karte hein dekha hai main ne. yeh jeb wala telephone hai. Magar yeh to abhi kissi kaam ka nahin, yeh bijli se chalti hai, aur iss mein bijli nahin hai abhi. Abhay sirf budhe baba ke chehre ko dekh raha tha sunte huwe jeise ek naadaan chota sa bachcha kissi bade aadmi ki baatein sunta hai……

To be continued…………
 

Top