Romance Aur Ek Prem Kahani (COMPLETED)

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
365
69
28
Update 61

Vinay ke bare mein baat kar rahe the Sakeena aur Iqbal ek roz. To Iqbal ne Sakeena se poocha, “Kia jaanna chahti ho mere dost ke bare mein?” Sakeena ne kaha, “Usski koyi ishk vishk ka chakar nahin hai kia usska koyi mehbooba nahin? To Iqbal ne kaha, “Are usski to mehbooba mujhse bahot pehle se hein. Aur aaj hum donon agar Abhi ke dance school mein kaam kar rahe hein aur mashoor dance teacher ban gaye hein to woh sab Vinay ki mehbooba, Sandhya ki vajah se hi huwa sab.”

Ab Iqbal ne eisa kyun kaha? Kia aap readers logon mein se kissi ko kuch anumaan huwa hai? Nahin? To thik hai main aap sab ko sunata hoon Vinay aur Sandhya ki kahani iss update mein.

Aap sab ko yad hoga ke Abhay ki dosti kin haalaat mein huwi thi Vinay aur Iqbal se. Ladaayi se shuru huwa tha woh bhi Sandhya ki vajah se. Magar kia aap logon ko yeh pata tha ke Sandhya aur Vinay ne milkar ek plan kiya tha yeh sab hone ke liye? Nahin pata? Koyi baat nahin main sab vistaal mein samjhata hoon. Vinay aur Sandhya ek dusre ko bahot pehle se jaante the. Donon ek dusre se bahot pyar karte the. Aur jab Sandhya Abhi ke school mein dance tuition ke liye jaya karti thi to Vinay usska wait kiya karta tha bus stop ke paas har sham ko unn dinon.

Magar Vinay bekaar tha, kaam vaam nahin tha bus mawali ki tarah idhar udhar ghumta phirta rehta tha aur saath mein Iqbal rehta tha hamesha usske. Iqbal ko Vinay ke bare mein sab pata tha. Iqbal usske saath usski girlfriend Sandhya ka wait karne ke liye hamesha ata tha kyun ke Vinay kabhi akele Sandhya ko wait nahin karne jata tha. Sandhya tab student thi, school ke baad dance ko jaati thi.

Ab aap logon ko yeh bhi yaad hoga ke Sandhya ek bahot achchi dancer thi aur Abhi usski bahot taarif kiya karta tha. To school mein students ke sankhiya badh gaye the aur Abhi samaye nahin de paa raha tha thik se bachon ko to kayi baar Sandhya ko chote bachon ko seekhane ke liye kaha tha unn dinon. Aur baat baat mein Abhi ne yeh baat cherra tha ke shaayad ussko aur dance teachers ko employ karna padega.

Ab Sandhya ko pata tha ke Vinay achah dance karta hai. To yeh baat Sandhya ne Vinay se kaha tha ke Abhi ko dance seekhane ke liye aur teachers ke zaroorat hai aur ussko uss se milne ko kaha tha uss waqt. Magar Iqbal aur Vinay ne kaha tha ke Abhay unn mawaliyon ko kahan accept karega jab unn donon ke paas koyi certificate of dance vaghaira nahin hai to. Tab teenon ne milkar plan banaya ke kissi tarah se Abhi se dosti karni chahiye, phir dosti hone ke baad ussko pata chal jaega ke hum dance achah karte hein to humko khud ba khud bolega usske school mein dance seekhane ko aur jo hum logon ko pata nahin woh khud seekhadega humko. Sandhya ne keh diya tha ke Abhi dil ka bahot achchah hai aur bahot achah dost hota hai sabhi ke.

Yeh wohi waqt tha jab Vinay ne plan banaya ke dusre din jab Sandhya tuition se baahar niklegi to Vinay ussko cherrega aur Abhi usski madad ke liye ayega tab Vinay aur Abhay mein mutbher hogi. Kyunke jo kuch Abhi ne Sandhya se karne ko kaha tha wo sab Sandhya ne Vinay ko pehle se bata diya tha- Update # 2 par aap sab uss wakeya ko pir se dekh sakte hein. Han Vinay football khelne ke bahane aya karta tha par assal mein woh sirf Sandhya ke liye ata tha.

To uss din ko maamla itna badh gaya tha ke donon ghayal hogaye the Abhay ke mukke aur laaton se…… magar yeh sab bhi Vinay aur Iqbal ke plan mein tha ke chahe maar bhi khani pade to khaleinguey kyun ke uss school ke andar daakhil hone ke liye maar khana manzoor hai.

To Sandhya bhi shaamil thi Vinay ko school mein lane ke liye magar ek kissam ke dhoke se, magar masti mein. Phir inn teenon ne aapas mein baat kiye ke kabhi bhi kissi bhi haal mein Abhay ko pata na chale ke woh sab plan kiya gaya tha etc. To teenon ne iss baat ko hamesha Abhi se chupa ke rakha. Bata hi nahin paaye kyun ke Abhay zaroorat se ziada achah insaan tha aur ussko keise bataya jaa sakta tha ke teenon ne ussko dhoka diya tha school mein bharti hone ke liye? To iss baat ko hamesha chhupa hi rehne diya gaya.

Ab rahi baat Vinay aur Sandhya ke pyar ki, to yeh donon mukhtaliff kisam ke lovers the. Har kissam ke log hote hein aur har kissam ke pyar karne wale bhi. Vinay apne pyar ko hamesha private rakhna chahta tha. Kabhi bi kissi ko school mein bhanak nahin padi ke Vinay aur Sandhya ek dusre ko chahte hein. Inn donon ke pyar ke bare mein Iqbal ke ilawa aur koyi bhi nahin jaanta tha. Aur yeh do aashik milte bhi the to bilkool akele mein jahan parinde bhi innko naa dekh sake. Raaste mein chalte the to ek iss taraf to dusra uss taraf, sirf nazron se baatein kiya karte the ya kabhi kabhaar jab koyi bhi nahin dekh rahe ho tab ek ishara huwa karta tha. Varna inn donon ko kabhi kissi ne ek saath nahin dekha. Phir bhi donon milte bhi the aur pyar bhi karte the.

Milte tab the jab Abhay donon ko ghar chorr kar wapas chala jata tha tab kyun ke Sandhya Vinay ki padosi bhi thi. Donon raaton mein mila karte the chatt ke upar, chup chupakar jab saari dunya neend ke aaghosh mein kho jaate the tab yeh donon apna ishk ka rang bikherte raat the fizaon mein.

Ab jab Abhay laapata hai to Vinay aur Sandya milkar classes bhi lete hein aur jab inn donon ko Iqbal aur Sakeena ke bare mein pata chala to sab khush huwe, aur Vinay ne Sandhya se kaha ke hum donon 4 saal iqbal se pehle pyar karte hein aur usske pyar ko bus ek mahina huwa hai aur nikaah bhi karne wala hai to humara kia hoga? Kab shadi kareinguey hum donon?”

Vinay ne kaha, “Hamara Abhay ko wapas ane do hum teenon ek hi din shaadi kareinguey aur bade dhoom dhaam se kareibguey yeh mera wada hai!”

************************************************************************************************************************

Ananya bahot bechain raha karti thi aur Abhay ki yaadein ussko bahot tadpaati thi. Woh sirf Abhay ke khayaalon mein gum aur ussi ke sapnon mein raha karti. Har unn lamhon ko yaad kiya karti jo ussne Abhi ke saath guzaare the. Usski pehli mulaakat, kiss tarah se Abhay ne ussko thaama tha class mein, kiss tarah usske jism se usska jism takraaye the, kiss tarah woh dancing costume pehenneko jhijhagti thi, sab yaad kar kar ke kabhi muskaati thi to kabhi enkhon ko nam kiya karti thi. Kabhi yaad karti ke phone par raaton ko, balke subha tak kiss tarah ke baatein kiya karta tha Abhay usske saath ke usski jism mein aag dawd jaati thi, Anny ne yaad kiya kiss tarah Abhay ne ussko takriban nanga kar diya tha phone par baat karte huwe kayi raaton ko, aur keise ek raat ko woh Anny ke kamre mein aa ponhcha tha…..

Anny sab unn sunehre yaadon ko samet kar ek khwab ki dunya bana chuki thi, magar ussi khwab ki dunya mein Anny ne yeh bhi dekha jab Abhay tarapta huwa usske paas raat ko khirki par milne ko aya tha aur Anny ne ussko wapas lawta diya, Anny ne yeh bhi dekha ke kiss tarah se Abhay ko ruswa kiya ussne usske pyar ko thukra kar apne papa ke liye…Anny ko yeh bhi mehsoos hota tha aksar ke Abhay ko kitna gehra choth ponhcha hoga jab Anny ne ussko chorr kar apne papa ke baton ko maana tha…. Abhi kitna yakeen karta tha Anny ke pyar par, “shaayad Abhi ne socha hoga ke main, apni papa ko thukrakar uss ke paas chali awungi aur mujhko wohi karna chaiye tha…..” khud se Anny kehne lagi….

Anny se raha nahin gaya aur turant Iqbal ko phone kiya, jiss waqt wahan Iqbal aur Sakeena Vinay ke bare mein baatein kar rahe the. Anny ne Iqbal se kaha ke woh Saleem bhai se milna chahti hai turant ussi waqt. To bahot jald hi Iqbal ne Vinay ko phone kiya aur Vinay Anny ko lene chala gaya aur ussko Saleem bhai ke yahan le aaya.

Anny Saleem bhai se girgirate huwe phoot phoot ke ro padi ke usske Abhay ko kab talaash kareinguey woh log…. Iqbal, Vinay aur Sakeena bhi ro pade Anny ka haal dekh kar.

Saleem bhai laachaar the aur Anny se gambhir ada se kaha,

“Beta, jab kissi marz ka dawa nahin milta ya kissi marz par dawa ka koyi assar nahin hota hai tab duwa se kaam lena chaahiye. Duwaein karo, pooja karo, upar wale ko yaad karo aur apne Abhi ki salaamati ki duwaaein mango. Mujhe yakeen hai ke upar wale ne tum donon ko ek duje ke liye banaya hai yehi kaaran hai ke tumhari shaadi safal nahin huwi kyunke tum to Abhay ki amaanat ho. To zaroor koyi baat hogi jiss ke liye uss maalik ne tum donon ko juda kiya, aur mera buland yakeen hai ke wohi maalik tum donon ko zaroor wapas milayega aur bilkool milayega, mayoos na ho beti, himmat se kaam le, sabr kar, sabr ka phal meetha hota hai, usske darbaar mein tere liye zaroor koyi na koyi shamma jala hoga bus usski roshni tere tak nahin ponchi hai ab tak, jeise hi woh roshni tujh tak ponhchegi tab bus raasta tere saamne hoga aur Abhi tere kareeb; mera yakeen hai upar wale par tu bhi bharosa rakh aur dekhna usske jalwe bhi nirale hote hein.”

Anny ke dil ko ajeeb sa sukoon mila Saleem bhai ke baton se. Phir Saleem bhai ne yeh bhi kaha,

“Kuch mannatein maangi thi main ne meri Sakeena ki shaadi ke liye, ab hum do teen din mein sheher se door ek dargah par jane wale hein chaadar chadaane ko, to tere liye bhi mannatein maang lunga aur baad mein chaadar chadaane chala jawunga. Tu hawsla rakh beti tera Abhay tujhko wapas mil jaega aur mujhe dikh raha hai ke woh din door nahin.” Aur Saleem bhai ne Ananya ke sar par apna haath phera bade pyar se duwaon ke saath.

To be continued……………
 
Dimaagh ka garam, Dil ka naram
365
69
28
Update 62

Ek mahina beet gaya aur Abhay mazdoori karta raha uss dam ki construction ke liye. Har hafte ko tankha milta tha aur Abhay sab budhe baba ko de diya karta tha aur gharibon mein bantne ko bolta tha. Magar baba ne usske paise lene se inkaar kiya aur kaha ke Seema ke liye kuch kharidein aur baaki sambhaal kar rakhein. To Abhay ne Seema ko apne paise rakhne ke liye diya aur kaha jab zaroorat hogi to maang lega uss se. Aur ek roz, Sunday ke din uss sheher mein gaya Seema ke saath aur usske liye Abhay ne ek suit kharida aur complete set gale ke liye haar, churiyan, kaan ki baali vaghaira vaghaira. Sab neele rang ka kharida. Seema ko bahot passand tha aur woh bahot khush huwi Abhay ki uss khayaal ke liye. Aur Abhay weise hi gumsum rehta tha magar pehle se ziada baatein karta tha aur baton ka jawaab diya karta tha magar har waqt nahin jab jab usska mann kare tab.
Uss dam ki construction ke liye ek engineer huwa karta tha jo shuru se aya karta tha apni khubsurat car mein. Jawaan tha, handsome bhi. Lamba kad, chawda seena, hero jeisa dikhta tha woh bhi. Safed kameez aksar pehna karta tha aur ek dark red colour ka tie gale mein hamesha hota tha. Jiss din Abhay bharti huwa wahan kaam karne ke liye to woh engineer udhar hi tha aur woh Abhay ko ajeeb nazron se dekha karta tha kyun ke Seema Abhay ko dekhne ko ati thi har waqt. Uss Engineer ka naam tha Akaash aur 25 saal ka tha. Woh Seema ko dekha karta tha phir Abhay ko aur ussko bahot heirani hoti thi ke dekhne mein to Seema office ke kaam karne wali lagti thi aur Abhay ek mazdoor to Seema kyun Abhy ko itna dekhne ko ati thi har waqt, yeh ussko heyraan kiya karta tha aur ek din, jab Seema kaam par gayi huwi thi to Akaash ne Abhay se baat kiya….

Akaash: “Hi, tum Abhi ho nah?”

Abhay: “Yes Sir, koyi aur kaam hai kia?”

Akaash: “Nahin nahin tum apna kaam karte jawo bus ek do baat poochna tha tumse”

Abhay Apna pasina ponchte huwe aur enkhon ko thoda sa bandh karte huwe Engineer ke chehre mein dekhte huwe, aur hampte huwe poocha, “Yes Sir bolo!”

To Akaash ne kaha, “Woh ladki jo har roz tumse milne ati hai, woh kia lagti hai tumhara?”

Uss waqt Abhay ke haath mein ek bada sa pathar tha jo woh apne kandhe par uthaakar dusre taraf leja raha tha to chalte chalte ussne kaha, “pata nahin”

Akaash ko to pata nahin tha Abhay ke dimaaghi haalat ke bare mein to ussne socha ke Abhi ussko batana nahin chahta. Aur wahan se chala gaya.

Magar uss sham ko Abhay ne budhe baba se achanak khana khate waqt kaha, “Sir Seema ko love karta hai” budhe baba ka niwala atak gaya Abhay ke baat sunkar aur khanssne laga phir paani peekar ussne poocha, “Kia bola tu? Kaun sa Sir re? kiss ne bola tumko yeh baat?”

Abhay sar jhuka kar khana kaaye jaa raha tha aur hanss raha tha sharmaate huwe. Budhe baba ne pehli baar Abhay ko hansste huwe dekha to ussko chamatkaar dikha usske hanssi mein. Aur baba khisak kar Abhay ke kareeb aya aur poocha, “Bol nah beta kyun hanss raha hai kia huwa vistaal mein samjha nah!” Abhay bilkool weise behave kar raha tha jeise ek 10/12 saal ka bachcha karta hai jab kissi do premi ko kissi kone mein pyar karte huwe dekh lete hein to keise hanste aur sharmaate hein, uss tarah ka behavior tha uss waqt Abhay ka! Magar woh baba ko kia vistaal mein samjhata usske samajh ke baahar tha aur woh sirf khee khee khee khee hanste jaa raha tha apne Sir ko sochkar!! Par budhe baba ko to pata nahin tha ke woh kyun hanss raha hai magar usska hanssi baba ko bahot achcha lag raha tha.

Aur budhe baba ne achanak kaha, “bus kar apna khee khee khee sirf hansse jaa raha hai bachche ki tarah, chup kar ab!” Tab achanak Abhay ne yeh kaha, “Iqbal bhi eise hi hansta hai Vinay ke saath milkar aur main unn donon ko danta karta hoon hamesha hehehehehehehehehehe!!” To zaahir hai ke baba heyrani mein poochta hai, “Kaun Iqbal, kaun Vinay?” Tab Abhay phir maathey ko masalte huwe sochne lagta hai aur khayaalon mein gum ho jata hai….. khana chorr kar Abhay baahar chala jata hai, sochta rehta hai aur ghussa karte huwe baba ke paas ata hai aur maathe ko peette huwe kehta hai “baba kyun mujhe kuch yaad nahin araha hai? Main keise Iqbal aur Vinay ke naam ko jaanta hoon kyun mujhe pata nahin ke woh kaun hai? Kyun unn ke naam mere lab par aye? Kaun hoon main baba? Keise yahan aya main? Kahan rehta tha main pehle mera aur naam kia hai baaba?” yeh kehte huwe woh rone laga ek bache ki tarah!!

Baba ne kissi tarah bhi ussko hawsla dilaya ke dhire dhire ussko sab yaad ajaega, dimaagh par ziada zor dene ki zaroorat nahin. Aur baba ne Abhay se yeh kaha, “main har roz tumhare liye khas duwaein kiya karta hoon, taawiz banaya hai tere liye, duwa ke phool pherta hoon tere upar, duwa ka pani pilata hoon tujhe, tu dhire dhire thik ho raha hai. Waqt se pehle kuch nahin hota. Jitna waqt lagna hai tujhe thik hone mein woh to lagega hi, hum bus koshish kar sakte hein… tum fikar mat karo, uss ke ghar der hein andher nahin, kaun sa waqt chuna hai ussne tere liye kiss ko pata? Tu bus sabr kar mere bachche!”

Kuch der baad Seema ati hai khushi khushi Abhi se milne. Jab woh donon se milte hein to Abhay Seema ko dekh kar hanssne lagta hai. Seema ko bahot ascharya hota hai kyunke woh bhi pehli baar Abhi ko hansste huwe dekh rahi thi. To baba ke taraf dekh kar Seema ne dhire se poocha, “kia baat huwi baba? Kyun Abhi aaj hanss raha hai mujhe dekh kar? Hmm?” To baba ne kaha, “jawo khud pooch lo uss se!” Phir Seema ne kadam badhaya Abhi ke taraf jo uss waqt zameen par baitha huwa tha aur sar jhuka kar hanss raha tha Seema se nazrein churate huwe. Seema muskurate huwe usske paas baithi aur bahot pyar se poocha, “Are wah to janaab ko hanssna bhi ata hai hmm? Kia baat hai? Kyun itni hanssi arahi hai aaj janaab ko? Bolo to zara?!” Abhay aur ziada zor se hanssne laga apna chehra dusre taraf karte huwe! Bilkool Sharma raha tha aur usska chehra laal ho gaya tha aur nazrein chura raha tha Seema se. Seema ne bahot mushkilon se usska saamna kiya aur batane ko kaha ke baat kia hai.

Abhay hamp raha tha hansste hansste aur Seema ke bahot poochne ke baad jab batane jaa raha tha to Seema ne kaha, “kitne achche lag rahe ho eise hansste huwe Abhi, Bhagwaan kare ke tum hamesha eise hi hansste raho.” Aur Abhi ne khada hokar uss se yeh kehkar zor se dawdte huwe wahan se bhaag nikla tezi ke saath, “Sir tumko love karta hai mujhe maloom hai woh tumhare bare mein mujhse pooch raha tha woh har roz tumko dekhta rehta hai..hehehehehehe!!”

Abhi to bhaag gaya yeh kehkar magar Seema dang reh gayi aur sochne lagi ab yeh ‘Sir’ kaun hai?

To be continued……………………
 
Dimaagh ka garam, Dil ka naram
365
69
28
Update 63

Seema soch mein par gayi ke kiss ‘Sir’ ke bare ein Abhi bol raha hai aur kyun weisa kaha ussne. To Seema ne baba se poocha magar ussko bhi to nahin pata tha ke Abhi kia badbada raha tha. Kuch der baad Seema Abhi ko dhundte huwe pahaadiyon ke taraf gayi aur jab ussko ek titli se khelte huwe dekha to poochne lagi ke kiss Sir ke bare mein woh bol raha tha aur kyun kaha ke woh ussko love karta hai….

To Abhi ko sharam sa araha tha khul ke uss bare mein baat karne ko aur usska chehra laal ho gaya tha. Magar Seema ne itna zor diya ke ussko bolna pada aur ussne kaha, “Wohi Sir jahan main kaam karta hoon, woh tumhare bare mein mujhse pooch raha tha magar main samajh gaya ke woh kyun pooch raha tha woh tumko love karta hai.” Seema ko Abhi ka bholepan par taras aya aur dil hi dil mein Abhay ke enkhon mein dekhte huwe lubhaati nazaron se khud se kaha, “kitni asaani se tumne yeh dekh diya ke woh jo koyi bhi ho ke mujhse pyar karta hai magar yeh kyun nahin dekha aaj tak ke main tumse kitna pyar karti hoon Abhi? Mera pyar kyun nazar nahin ata tumko? Aur phir tum apne pyar ko kissi aur ke saath naam le rahe ho yeh kia hai Abhi?!” Seema afsos ke nazar se Abhi ko dekhte huwe soch rahi thi.

Uss raat ko sote waqt Seema sochti rahi ke kiss ke bare mein Abhi baat kar raha tha kaun ho sakta hai woh ‘Sir’. Assal mein Akash hamesha se Seema ko dekha karta tha magar Seema ne kabhi bhi ghaur nahin kiya aur naa hi ussko kabhi dekha ya aamna saamna huwa uss ke saath to woh bilkool hi nahin samajh paa rahi thi ke kaun shaks hai woh.

Dusre din subha kaam par jane se pehle Seema kafi der tak intezaar karti rahi jahan Abhi kaam karta hai ke koyi mile jissko woh Sir keh raha tha magar Akash to din ke 10 ya 11 baje ata hai aur Seema ko 9 baje office jana tha to ussko jana para. Jane se pehle ussne Abhi se poocha “Tera woh Sir kahan hai?” To Abhi ke sirf apne kaandhon ko upar uthate huwe ishare se kaha ke pata nahin. Abhi jab kaam karta tha to kissi se batein nahin karta tha, ek dum khamosh raha karta aur sirf apne kaam mein dhyaan deta, bahot mehnati tha aur bahot sara kaam kiya karta tha. Hath ke chaale sakht ho gaye the, chehre ka rang badal gaya tha jeise dhoop mein jhulass gaya ho, phir bhi baakhubi kaam kiye jaa raha tha.

Uss sham ko jab Seema kaam se wapas arahi thi to upar sar uthaakar Abhi ko talaash rahi thi, kyun ke Abhi ek oonchaayi par patharon ke beech kaam karta tha. Ek hill ke jeisa ooncha sthaan par woh dam banaya jaa raha tha, aur koyi 50 mazdoor nazar ate the uss jagah par. Bade bade drill machinon ke shor ke beech Abhi patharon ko uthakar ek jagah se kahin aur lejakar sajaya karta tha usske saath kayi aur bhi mazdoor wohi kiya karte the. Mithi ke dhool udte huwe nazar ate the aur ussske beech neeche gaon ke raaste par se pehchaanna mushkil tha ke kaun Abhi hai aur kaun kia hai.

Uss oonchaayi se niche gaon ke taraf jane wala rasta ek patli si gali jeise nazar ata tha, pedh pawdhon ke beech, pahaadi ke ek taraf aur dusre taraf khub surat phoolon se saje huwe bahot sare peyr ke beech se woh raasta ek mod dayein ke taraf karte huwe phir ek mod bayein ke taraf upar se lagta tha ek saamp peyr pawdhon ke bech mein pada hai. Jab trucks vaghaira ate jate the to upar se nazar ata tha aur jab bus mein Seema kaam ke liye jaati thi to Abhi ko upar ke taraf dekhte huwe jaati thi, aur pehle aur dusre din Abhi bhi niche bus mein Seema ko jate huwe dekh kar wave kar raha tha phir usske baad Abhi apne kaam mein masroof rehne laga aur Seema ko nahin dekhta tha.

To uss sham ko Seema upar dekhte huwe chali jaa rahi thi apne ghar ke taraf ke achanak ek car usske aguey ruka aur ek aadmi car se nikla aur kaha, “Hi I am Akash, tum Seema ho nah aur kiss ko dhund rahi ho upar Abhi ko huh?” Seema bilkool chohonk gayi aur Akash ke chehre par dekhte huwe phir upar dekhi aur sochte huwe kuch kehne jaa rahi thi ke beech mein Akash hi bol pada, “Main iss project ka engineer hoon aur main jaanta hoon ke tum roz yahan Abhi se milne ati ho.!”Seema tab ussko ajeeb nigahon se dekhte huwe, usske chehre par ek chamak sa dikhayai diya jeise ek paheli ka jawaab pata chal gaya ho aur khil kar Akaash se kaha, “Aur Abhi aap ko ‘Sir’ bulata hai?” Aur Akash ne ek muskurahat ke saath “ji han “ kaha Seema ko. Tab Seema ke jaan mein jaan aayi aur muskurate huwe kaha, “Oh to aap hai woh jisske bare mein Abhi keh raha tha hmmm!” Aur Seema apne raaste mein aguey chalne lagi, to Akash ne kaha, “Suniye to, theheriye main car park karke aap ke saath chalte huwe baat karta hoon….” Magar Seema chalti gayi aur jaldi se Akaash ne apne car ko park kiya aur ussko join karne ke liye Akash ko dawdna pada……

Jab Akash Seema ke level chalne laga to Seema sar jhukaye huwe chal rahi thi aur Akash uske chehre mein dekhte huwe poocha, “Abhi kaun hai tumhara jaaan sakta hoon?” Seema ne ek gehri saans lete huwe usske taraf dekh kar kaha, “Pehle aap yeh batawo ke aap ne kia kaha, ya poocha tha mere bare mein Abhi se?” To muskurate huwe Akash ne kaha,

“Kyun? Abhi ne kia kaha tumse?”

Seema: App bolo ke aap ne kia kaha uss se?

Akash: nahin tum batawo ke uss ne kia kaha tumse?

Seema: Hargiz nahin, agar aap nahin bologuey to mera ghar agaya main chali!

Akash: Are are sunon, main ne bus yehi poocha tha ke tumhara usska kia rishta hai aur tum kyun aksar uss se milne ko ati rehti ho bus…

Seema: kyun aap ke uss site par mera ana mana hai kia?

Akash: are yaar main ne eisa kab kaha, jab bhi ji chahe aya karo balke har roz har waqt ati raho, kaho to kaam bhi diladun tumko aur wahin kaam bhi karo meri secretary banogi?

Yeh sunkar Seema hanss padi aur hanste hansste apni ghar ke angan mein daakhil hote huwe Akash ko wave kiya. Aur Akash muskurate ussko ghar ke andar jate huwe dekhta raha aur ghar ke darwaze ko band karte waqt Seema ne ussko hansste huwe dekha jabke Akash ne tab ussko wave kiya.

To be continued………………
 
Dimaagh ka garam, Dil ka naram
365
69
28
Update 64

Saleem bhai Sakeena aur Iqbal ke saath ek dargah ko chal pade. Nahin woh budhe baba wale dargah par nahin gaye the magar kahin aur. Magar uss darge ke rakhwale ne Saleem bhai ko budhe baba wale dargah par jaane ke liye kaha jab Saleem bhai ne bataya ke usski biwi ki tabiyat kuch dinon se kharab rehti hai to. Uss budhe baba wale dargah bahot mashoor tha unn dargah par jane walon ke darmiyan, matlab munh se kaan tak khabar phelte rehte the uss jagah ki. Bahot sare logon ki mannatein pure huwe uss baba wale dargah par jaakar to jahan Saleem bhai gaye the to uss se bhi baba wale dargah ka zikr kiya gaya. Tab Saleem bhai lautte waqt Sakeena se kaha, “Teri ammi ki tabiyat zara behtar ho jaye to ussko wahan lechaleinguey, tum donon bhi saath chalna.”

Ab Saleem bhai jahan bhi jate the to Abhay ki tasveer dikha kar pooch taaj kiya karta tha. Kabhi kabhi eisa bhi hota ke tasveer ko kissi dukaan ya mohalle ki community centre mein lagwa deta…. Abhay ki tasveer ki bahot sare photocopies karwaya tha Saleem bhai ne. Aur usske sabhi team ke aadmiyon mein share kiya tha unn tasveeron ko aur khud ke paas ek aakhri tasveer reh gaya tha.
Jiss darge se Saleem bhai lawt rahe the, uss ke 100 kilometres ke doorie par uss Budhe baba wale darga paya jata tha. To Saleem bhai ne utna door Abhay ke khoj ke bare mein kabhi socha hi nahin tha. To kia jab Sakeena ki ammi ko lekar jaega to Abhay milega unn se wahan? Iqbal bhi saath mein jaega, to agar Abhay se aamna saamna huwa to zaroor yeh sab ussko pehchaan leinguey nah?

Magar wahan Abhay ko mazdoori karte huwe 3 mahine aur beet gaye aur ussne phir se lamba dhadi uga liye the aur nahin katwana chahta tha. Seema ne kayi baar ussko uss chote sheher mein chalne ko kaha magar Abhay ne inkaar kiya aur kaha ke ussko weise hi rehna hai. Usske baal bhi kaafi lambe ho gaye the.

Ab rahi baat Akaash aur Seema ki. To huwa yeh uss din ke baad, ke engineer sahib to har roz Seema ka wait karne laga aur jab bhi Seema Abhay se milne jaati to Akaash sahib ajate aur khud Abhay donon ko akela chorr deta. To donon mein dosti hone lagi aur dhire dhire Seema ko Akaash achchah lagne laga. Akaash ne bahot try mara, zid kiya, apne pyar ka sabot diya Seema ko….. Seema pighal gayi aur ek din pata nahin kyun Abhay ne achanak Seema se kaha, “Akaash ko mat thukrana, jab koyi dil se pyar karta hai to thukrane par bahot dukh hota hai, woh tumko love karta hai to tum bhi ussko zaroor love karo, woh bahot achchah aadmi hai tum khush rahogi usske saath.” Aur Seema ke dilmein agar Akaash ke liye pyar paida huwa to woh Abhay ke baaton ki vajah se. kyun ke Seema ko ppura yakeen tha ke Abhay pyar ka maara hai aur uss se ziada pyar muhabat ke bare mein koyi nahin jaan sakta…aur phir hawle hawle Akaash se sach mein pyar ho hi gaya Seema ko aur woh khud dhundti phirti rahi Akaash ko….. Jab kabhi woh Abhay ko dekhne jaati to uss se poochti, “Akaash kidhar hai?” Aur Abhay kehta, “Apne love ko dhund rahi ho, apne dil ke dhadkanon mein dhundo mil jaega!”

Abhay ke baton se Seema bahot impress hoti thi ke keise woh akayak badi badi batein kar deta hai. Uss se saaf zaahir hota tha ke Abhay ne bhi kissi se gehra aur sachcha love kiya huwa hai. Ussko pyar muhabat ke bare mein bahot gehri jaankaari thi!

Seema ne Akaash se sab kuch keh diya tha Abhay ke bare mein aur ussko samjhaya ke woh takdeer ka mara hai aur Seema usska gehra dost hai. Akaash ko koyi objection nahin tha ke Sema Abhay se milne aye aur baat karein. Magar Seema ki dil ki gehraayi mein Abhay ke liye pyar tha ya taras usssko khud samajh mein nahin arahi thi. Akaash ko jaanne ke baad usske dil se Abhay ke liye jo pyar tha woh tabdil kar gaya tha dosti mein…..To Seema ne socha ke shayad woh Abhay par taras kha rahi thi pity kar rahi thi aur uss taras ko woh pyar samajh baithi thi…… kia naam dein uss jazbaat ko samajh mein nahin ata tha Seema ko magar Abhay ko zindagi bhar bhool nahin payegi yeh pakka yakeen tha ussko. Ab ek gehra rishta sa ban gaya tha Seema aur Abhay ke beech aur uss rishte ko kia naaam diya jaye woh bhi batana mushkil tha.

Eise hi zindagi mein aksar hota hai ke kayi logon ke zindagi mein do log hote hein, ya to ladki ke zindagi mein do ladke hote hein ya ladke ki zindagi mein do ladkiyan. Woh eise hi rishte hote hein jahan woh khud tey nahin kar paate ke pyar hai ya kuch aur hai… jazbaat ke rishte mein itna bandh jate hein ke ek dusre ko apna sab kuch dene ya lutane ke liye tayyaar ho jate hein…… rishta hi eisa ban jata hai weise sthiti mein……. Khair khushi ki baat yeh thi ke Seema ab akeli nahin thi, aur agar Abhay se bicharna hoga to ussko sambhaalne ke liye Akaash tha wahan ab!

Dosto woh din aya jab Saleem bhai ne apne biwi ke saath Iqbal aur Sakeena ko liya aur uss darge ke liye rawana huwe jahan Abhay rehta tha. Itna lamba safar tha ke kia kahein. Kul milkar koyi 150 kilometres se ziada tha Saleem bhai ke ghar se! bahot tez raftaar se car chalaate huwe bhi bahot sare ghanton ke baad uss choti sheher mein ponche jahan Seema ne ABhay ke liye kapde kharide the…. Car kabhi Saleem bhai drive karta to kabhi Iqbal. Itna door tak ek hi aadmi ke liye drive karna asaan baat nahin tha. Kayi baar ruke the sab chae paani ke liye.

Saleem bhai ke dimaagh mein itne door Abhay ka nikal ana bilkool nahin tha. Ussne sochna hi band kar diya utne door jakar ke wahan bhi Abhay ke bare mein poocha jaye…. Jab uss sheher mein ponche to Iqbal ne uss se kaha, “zara rukte hein pooch taaj karein Abhay ke bare mein?” Saleem bhai ne kaha, “Are itne door nikal ayega woh? Naamumkin lagta hai. Woh to hamare aas paas ke sheher mein phirta hoga kahin….. phir bhi tumhare tasssalli ke liye chalo pooch lete hein.”

Takdeer ka yeh khel bhi dekhiye dosto- jiss barber ke yahan Seema ne Abhay ke baal katwaye the aur daadhi banwaye the ussi ke bagal wale dukaan mein gaye Saleem bhai aur Iqbal poch taaj ke liye magar uss barber ke yahan nahin gaye! Uss barber ne Abhay ki dadhi nikala tha to woh to chehra pehchaan sakta tha, magar kismat ka khel hai ke wahin bagal mein gaye donon magar wahan nahin…. Phir donon thoda idhar udhar ghum kar Abhay ki tasveer dikhate huwe kayi logon se pooche magar kissi ko pata nahin tha to Saleem bhai ne wahan ek hotel mein uss photo ko laga diya aur hotel ke maalik se kaha ke tasveer wala aadmi missing hai agar ussko koyi dekhe to police information room ko phone karein – number photo ke niche likha huwa tha.

Aur wahan se ab baba wale darga tak jane ka raasta poocha gaya aur weh log chal pade budhe wale baba ke darga ke taraf….. din ke 3 baje the aur Abhay uss oochaayi par patharon aur machinon ke beech kaam kar raha tha……

To be continued……………
 
Dimaagh ka garam, Dil ka naram
365
69
28
Update 65

Car jiss waqt budhe baba wale dargah ke taraf jaa rahe the tab, Abhay jiss onnchaayi par kaam kar raha tha woh car ke left side par paaya jata tha. Aur aguey ke left wale seat par Saleem bhai baithe the aur Iqbal drive kar raha tha. Sakeena piche wale seat par baithi thi apni ammi ji ke saath. Kachcha rasta tha dhool se bhare aur car ke guzarne se bahot sare mitti ke dhool udh rahe the. Aur upar jahan Abhay kaam kar raha tha wahan drilling machine aur pathar todne wale machine ke shor aur wahan bhi bahot sare dhool udhte dikh rahe the….

Uss jagah se car guzar gaya jahan se Abhay aur dusre mazdooron ko niche se ate jaate car, bus, ya trucks dikhaayi dete the. Wahan se guzar kar hi darga tak pohonchne ka raasta paye jaate the. Upar se kuch mazdooron ne car ko guzarte dekha magar uss waqt Abhi apne kaandhe par ek bada sa pathar liye dam ke border par rakhne jaa raha tha to uss ko kuch nahin dikha. To zaahir hai ke Saleem bhai ko bhi kuch nazar nahin aya halaan ke woh upar ke taraf dekhte huwe Iqbal se kaha, “Lagta hai koyi dam ban raha hai idhar, iss kade dhoop mein dekho yeh mazdoor keise jhulass rahe hein aur kitna milta hoga inn logon ko, kewal kuch rupaya.” Iqbal drive kar raha tha iss liye sirf ek jhalak dekha nazar utha kar upar ke taraf aur weh log chale gaye dargah ke taraf…..

Budhe baba se sab mile aur baba ne duwaein ki, taaviz bana kar diya aur chand gulaab ke patiyon par kuch padhkar phoonka aur ussko pani mein milakar peenee ko kaha. Phir baba ne Quraan ki chand ayatein padhi aur Fateha padha. Koyi 45 minutes ke baad weh log wahan se nikle baba se ijaazat lete huwe. Magar kisi ne Abhay ke bare mein baba se nahin poocha. Iss liye nahin poocha ke wahan ke sheher mein hi jab Saleem bhai keh rahe the itne door to Abhi nahin aya hoga aur phir kissi ne bhi nahin dekha kabhi ussko uss taraf. Iqbal ka mann tha poochne ko baba se magar kyunke Saleem bhai ne weisa kaha tha uss sheher mein jahan unn logon ne aakhri photo chipkaya, to woh sochkar Iqbal ne bhi socha Abhi ka wahan tak ajana mumkin nahin hoga.

Wahan se ek ghante ke baad weh log nikle aur Saleem bhai ne drive karna chaha, to usski biwi aguey baithne gayi apne shawhar ke bagal mein aur Iqbal aur Sakeena piche wale seat par ashikon ke gun gaane ko baithe! To Saleem bhai drive karne lage aur car uss jagah ponhcha jahan Abhi upar kaam kar raha tha. To ab car ke lautne samaye woh oonchaayi wali jagah car ke right mein tha aur right mein Sakeena baithi thi aur left mein Iqbal. Magar Saleem bhai kyun ke drive kar rahe the to woh right mein paye gaye drive karte huwe, usski lambhi dhadi, sar par pagri, aur woh tha hi eisa insaan ke koyi bhi ussko door se pehchaan le….. thik jab car wahan ponhcha jahan Seema bus mein se utarti thi aur Abhi upar se ussko dekhta tha, uss jagah par do, teen gaye road cross kar rahe the aur saleem bhai ko brake lagana pada aur uss ne horn bhi bajaya…. Iss liye ke horn baja to upar se Abhi ne niche dekha raaste ke or…. Aur usski nazar seedha Saleem bhai par gaya… uss waqt Abhi ke haath mein ek chota sa hal jeisa kuch tha jiss se woh mitti ko ek baste mein bhar raha tha, uss hal ko upar uthaaye huwe Abhi Salim bhai ko dekhta raha, usske pasine se mitti mile huwe the maathey pe aur jab ussne apna maatha poncha to usska maatha aur bhi ganda ho gaya….. Saleem bhai ruka huwa tha aur unn jaanwaron ko raasta paar karne ke liye wait kar raha tha…. Do gaye sadak paar kar chuke the ek reh gaya beech raaste par jo nahin hil bhi raha tha….

Abhay ne hal ko niche rakha aur usske enkhon ke saamne se udhte huwe mitti ke dhool ko apne haathon se hatate huwe ek do kadam niche gaya ghaur se car ke driver ko dekhte huwe….usske dil ke dhadkanon ka raftaar badh rahe the aur woh ek ek kar ke upar se seedhiyan utarta gaya, seediyan jo mitti aur pathar ko kaat kar kaaligari se banaya gaya tha uss onnchaayi se neeche raaste tak…. Sirf do chaar kadam niche ponhcha tha Abhi ke gaye paar chala gaya aur Saleem bhai ne first gear lagaya phir second aur gaadi aguey jaane lage….. Abhi hadbadate huwe tez kadmon ke raaftaar badhate huwe upar se niche utar hi raha tha aur car jaane laga, tab tak car mein se kyun ke sakeena right mein thi to ussne upar ke taraf dekha, to ussko ek daadhi wala aadmi niche ate huwe dikhaayi diya magar woh to Abhi ko nahin pehchaanti thi…… udhar Abhi hampte huwe khada hokar car ko jate huwe dekhta raha phir achanak zor se chillaya, “SALEEM BHAI…SALEEM BHAI RUKO RUKO NAH!!” Yeh kehne ke baad Abhi dawte huwe niche ke taraf jane laga aur haath car ke taraf ishara karte huwe phukaar raha tha Saleem bhai ko. Sakeena ne dekha aur Iqbal se kaha, “Woh dekho woh aadmi hamare car ke taraf ishara karte huwe phukaar raha hai lagta hai….”

Ab car kaafi aguey nikal chuki thi aur raaste par bahot mitti udh rahe the to Iqbal ko piche mudh kar car ke rear window se dekhna pada to kia nazar aya ussko? Ussko bhi ek daadhi wala aadmi udhte huwe dhool ke peeche upar se niche ke taraf ate huwe dikhaayi diya magar kissko pata tha ke woh Abhi hai? Iqbal ne Sakeena se kaha, “tum ne filmon mein dekha hoga ke jab ek car ek gaon mein jata hai to keise gaon ke sabhi bachche uss car ke piche dawte huwe jaate hein weise hi woh aadmi hamare car ke piche dawdne ki koshish kar raha hai!!” Aur tab tak car bahot aguey nikal gayi yahan tak ke ek mod aya aur turn bhi kar gayi aur jab tak Abhi niche raaste par gaya usske aaguey woh gaye the jo sadak paar karke ruke huwe the….. Abhay bahot hamp raha tha aur khanssne bhi laga aur dhire se “Saleem bhai, Saleem bhai” kehte huwe rone laga…….

Jiss waqt Abhay chilla raha tha to kayi dusre mazdooron ne suna aur unn mein se kayi log usske piche niche utre, aur uss ke paas aakar uss se poochne lage ke woh Saleem bhai kaun hai….. Abhay rote rote shant huwa aur niche zameen par baith gaya ek bimaar aadmi ki tarah…. Ussne kissi ko jawaab nahin diya….. bus kuch der baad bus aayi aur uss mein se Seema utri aur dekha ke kayi log jama hai…phir Abhay ko zameen par paya….. sab logon se poochne ke baad pata chala ke kissi car mein koyi Saleem bhai jaa raha tha aur Abhi uss car ke piche usska naam phukarte dawd raha tha to Seema ne jab Abhi se poocha ke kaun hai Saleem bhai tab tak khud Abhay ko yaad nahin tha ke Saleem bhai kaun hai aur kyun woh usska naam phukaar raha tha!!

Laakh poochne par Abhi ko kuch yaad nahin aya! Aur woh khud kuch der baad Seema se poochne laga, “Kyun mein ne eisa kiya? Kyun main uss gadi ke piche jana chahta tha? Kyun main ne Saleem bhai phukara? Kaun hai Saleem bhai? Yeh naam kuch jana pehchana lag raha hai magar mujhe kyun kuch yaad nahin araha kyun kyun kyun?!!” yeh kehte huwe Abhi apna maatha peethne laga!!”

To be continued………………
 
Dimaagh ka garam, Dil ka naram
365
69
28
Update 66
Saleem bhai pariwaar ke saath ghar wapas ponhche. Ab kyunke Iqbal Sakeena ka mangitar tha to kabhi kabhaar Saleem bhai ke yahan ruk jata tha raat bhar. To uss raat ko der ho gayi ghar lawtte waqt to Saleem bhai ne Iqbal ko rukne ke liya kaha aur kamra tayyaar kiya usske liye. Magar raat ko takriban barah ya ek baje tak Sakeena Iqbal ke saath thi lounge mein ishk farmate huwe, jab ke Saleem bhai aur usski biwi sone chale gaye the. Iqbal ko full azaadi thi ghar mein wahan.

Uss taraf Jab budhe baba ko pata chala ke Abhi ne uss ke paas ane wale aadmi ko Saleem bhai kehkar phukara to ussko bahot hi mayussi huwi ke kyun usske paas uss Salim bhai ka ata pata nahin tha! Baba bahot afsos kar raha tha ke kyun Abhay ko kaam karne diya. Agar woh kaam par nahin jata to Saleem bhai ussko dargah ke andar hi mil jaate….. Budhe baba kuch josh mein agaya aur pata nahin kia kia duwaein ayatein padhte huwe Abhay par phookne laga aur ajeeb o gharib awaaz mein pata nahin kia kia keh raha tha kuch samajh mein nahin arahe the aur Abhay bahot heyraani ke saath budhe baba ke chehre mein dekhta chala jaa raha tha aur woh padh padh kar Abhay ke chehre aur sar ke upar phoonk maarte chala jaa raha tha bilkool josh mein jeise woh koyi aur ho! Aakhir mein yeh alfaaz budhe baba ke lab se saaf sunaayi diya, “Jo bhi aye the yahan unn ke khwab mein paighaam bhejh ke yeh yahan hai, keise bhi kar, unnko wapas bhej isske paas bahot ho chukka sabr mera; mera imtehaan nah le ab!!” Yeh kehkar budhe baba behosh ho gaye! Woh kuch iss kadar josh mein the jeise rab se baatein kar raha ho aur uss ke kareeb pohonch gaya ho….. wahan ke log kehte the ke saal mein sirf ek ya do baar baba uss mukaam tak pohonchta hai jab dargah wale peer se mukhatib hote the, aur wohi chamatkaar tha uss dargah ki, ke wahan ke murid uss dargah wale peer par yakeen karte the ke woh sab ki bigri ko banata hai… kayi log to yeh maante the ke budhe baba uss dargah wale peer ka rishtedaar hai aur ussko bhi ussi jagah dafnaya jaega usske intekaal ke baad.

Aur Sakeena ke yahan, donon lounge mein ek sofe par baithe ek dusre ko bahon mein liye ishk farmate huwe, meethi meethi baton mein mubtela the. Tab Sakeena ne achanak yeh baat chedi….. “ Tumko yaad hai woh aadmi dadhi wala jo upar se neeche utar rahe the hamare car ke taraf ishara karte huwe?”

Iqbal ne Sakeena ke chehre mein ek ajeeb si nazar se dekhte huwe kaha, “Han magar tum achanak kyun uss baat ko lekar baith gayi? Are yaar hum donon ke bare mein baatein karo, pyar ki batein karo kia dargah wale jagah ki baat ko ched baithi tum?!”

Sakeena ne kaha, “Pata nahin kyun mujhe laga ke woh aadmi hum logon se kuch kehna chah raha tha, jeise woh hum mein se kissi ko phukaar raha tha magar kissi ne nahin suna!”

Iqbal, “What nonsense Sakeena! Kia baat kar rahi ho tum, chalo ab sone ka time ho gaya, mujhe neend arahi hai goodnight”

Aur donon alag alag kamre mein sone chale gaye…….. Ab isse kudrat ka karishma samjho ya budhe baba ki duwaon ka assar, ke bus ek ghante ke neend ke andar achanak Iqbal cheekh utha bistar par se, “Abhayyyyyyyy, Abhayyy mera yaaaaaaaaaar!!” ghar ke sab log jaag gaye. Subha ke sare teen baje the. Saleem bhai aur Sakeena dawte huwe Iqbal ke kamre mein gaye, Iqbal pasina pasina ho gaya tha aur tarapti awaaz mein Saleem bhai se lipat kar rote huwe bola, “Saleem bhai woh hamara Abhay tha, hum ussko wahin chorr aaye Saleem bhai Hamara Abhay tha woh!!”

Yeh sunkar Saleem bhai kaampte haath se Iqbal ka peeth thapthapate huwe Sakeena ke chehre mein dekhte huwe ishare se poocha kia baat hai…. Tab tak Iqbal ne Sakeena ke taraf dekh kar ensoo bhare nazar se kaha, “Sakeena woh hamara Abhay tha, jissko tum ne dekha tha……” Sakeena ne poocha, “Magar achanak iss waqt tum yeh kyun keh rahe ho, jab main ne kuch der pehle tumse baat ki to……” Iqbal ne Sakeena ko bolne nahin diya aur thar thar kaampte huwe badan se bayaan kiya,

“Main ne zindagi mein kabhi eise darawni sapna nahin dekha hai kabhi, sapna nahin hakikat lagta tha… hum sab uss jagah se lawt rahe the aur Abhay upar se niche ke taraf dawte huwe phukaar raha tha “Saleem bhai Saleem bhai” aur main bhaagte huwe ussko apne bahon mein pakar kar ro raha tha aur ussne kaha, “Yaar Iqbal tum mujhe akela kyun chorr kar chale gaye mujhko mudh kar dekha bhi nahin mujh se milne to awo yaar main bilkool akela, tanha hoon….”….

Yeh kehkar Iqbal zoron se rone laga, aur tab tak Sakeena ne apne abu ko bataya ke jahan car roka tha ussne jab gaye rasta paar kar rahe the upar se ek daadhi wala aadmi hamare car ke taraf ishara karte huwe araha tha…… yeh sab sunkar Saleem bhai ne socha ke uss dargah par jane se shayad Iqbal par bura assar pada issi liye uss jagah ki hawa raas nahin aya ussko….. Magar thik ussi waqt Iqbal bed se utar kar apne kapde pehenkar bahot serious hokar kaha, “Jaldi chalo wapas wahan, Abhay hamara intezaar kar raha hai, Vinay aur Ananya aur Abhay ki mummy ko phone karo abhi issi waqt unn sab ko chalna hoga!

Saleem bhai yakeen nahin kar raha tha jo usske saamne ho raha tha subha ke sare teen baje ghar se nikalna aur dusron ko phone karna ussko ajeeb lag raha tha to ussne Iqbal ko shaant karne ki koshish ki, magar Iqbal kuch bhi sunne ko tayyaar nahin tha aur Saleem bhai se jhagad pada, apne hone wale sasur se oonchi awaaz mein baat kiya ussne, “Dekhiye aap logon ko agar nahin jaana hai to mat jayiye, mujhe abhi aur issi waqt nikalna hai wahan pohonchte pohonchte subha ke 8 baj jayeinguey…… main chalta hoon, pehle Vinay aur Anny ko phone kar lun…..”

Sakeena jaldi se tayaar huwi apne walid se yeh kehkar ke woh Iqbal ke saath jaegi, aur Saleem bhai ne kaha, “Beti tum kia samajhti ho ke main nahin jaa raha hoon are beshak main bhi chalta hoon, kaash hum ne uss darga wale baba se Abhay ke bare mein poocha hota!” Tab Iqbal ne kaha, “Wohi to, wohi hamari sab se badi ghalati thi ke hum ne socha ke Abhi utne door nahin nikal sakta aur woh wahin hai itne mahinon se, aap ne dekha kia haal bana liya hai apna…ek paagal jeisa dikh raha tha mera yaar….” Yeh kehkar Iqbal phir rone laga…..

Ek chamatkaar aur huwa, Jab Anny ne phone uthaya to Iqbal se rote huwe kaha, “Main ne abhi abhi Abhay ko sapne mein dekha ek oonchaayi par se niche ke taraf “Saleem bhai” phukaarte huwe dawd raha hai aur mujhse kaha, ‘Tum bhi mujhe bhool gayi nah Anny’…..” Aur Anny zoron se ro padi phone par…. To Iqbal ne kaha, “Rona band karo hamara Abhay humko mil gaya hum ussko lene jaa rahe hein tum tayaar rehna main tumko lene araha hoon usske mummy ko lekar……”

Dargah wale baba ki duwaein door aasmaan mein assar kar gaye, ke kudrat ko bhi jhukna pada aur khwab ke roop mein sahi, Abhay ka deedaar karwa diya yaaron ko. Wah!

To be continued……………
 
Dimaagh ka garam, Dil ka naram
365
69
28
Update 67

Iqbal gaya Abhay ki mummy ko lene utni subha subha aur kehne ki zaroorat nahin ke woh kitni chonhki jab uss samaye Iqbal ko usske yahan darwaze ki khatkhatate suna to. Khair Iqbal ne sab samjhaya aur donon gaye Ananya ke yahan ussko lene ke liye, Vinay ko lete huwe.
Ab yahan Ananya ke bare mein kehna zaroori hai. Kia beet rahi thi uss par itne dinon se. Ussne khud ko band kar liya tha ek alag dunya mein. Ek to manhoos ki tag lag chuki thi usske upar aur Abhay ka na milna ussko mare jaa rahi thi woh sirf Abhay ke saath guzare gaye haseen lamhon ke saahare jee rahi thi. Bahot kum batein karti thi aur ek buth jeisi ban chuki thi kaafi dinon se. kabhi kabhi woh bhi apne aap se batein kiya karti thi aur bahot roti thi jab unn dinon ko yaad karti thi jab Abhay usske khirki ke paas aaya tha raat ko aur Anny ne Abhi ko wapas lawtayi thi bina uss se pyar kiye. Anny apne aap ko kosti thi aksar unn baton ko lekar aur sochti thi unnhi baton ki sazaa jhel rahi thi woh. Anny ko pata tha ke ussne apne Abhay ka dil bahot dukhaya tha aur ussko apni papa ke baton ko nahin manna chahiye tha balke Abhay ke taraf jana chahiye tha. halaan ki ussne sirf apne papa ko khush karne ke liye sab kuch kiya tha phir bhi Anny ne uss samaye Abhi ke liye kuch bhi nahin socha tha aur aaaj jiss haal mein Abhi hai uss ka zimewaar Anny khud ko samajhti thi. Dil par bahot bojh liye jee rahi thi Anny aur jiss waqt Iqbal ka phone aya to woh bahot zoron se phoot phooo kat rone lagi.

Anny ki mummy aur papa ussko rote huwe sunkar dawde gaye usske kamre mein poochne ke kia huwa to Anny apne chaati aur maathe ko peette huwe aur jhar jhar ensoowon ke dhaar mein kaha, “Mera Abhi mil gaya papa mera Abhi zinda hai, pata nahin kiss haal mein hai aur kahan hai magar ussne sapne mein mujhko bulaya mummy……” Mummy aur papa ek dusre ko dekhne lage aur donon ne yeh socha ke Abhi ko sapne mein Anny ne dekha iss liye ro rahi hai….. usske mummy papa ko laga ke Anny kuch paagalon jeisa harkat kar rahi hai unn ko pata nahin tha ke Iqbal ka phone aya tha…. Anny uth kar apne kapde change karne lagi almira ke piche jaakar to mummy papa ne socha subha ke 3 /4 baje kahan jana chahti hai yeh ladki paagal to nahin ho gayi!

Magar thodi der baad car ki horn baji baahar to Anny ke papa apni patni ko dekhte huwe kaha, “Kaun aya hai iss waqt kia ho raha hai Anny kaun hai kahan jaa rahi ho beta?” Aur Anny dhadpadaati ghar se nikalte rote huwe yeh kehkar baahar nikli, “Papa mera Abhay ka pata chal gaya hum log ussko lene jaa rahe hein, Iqbal aya hai mujhko lene main chali…..” Anny ki maa ne rote huwe zor se kaha, “hum bhi ate hein Iqbal se kaho wait kare hum usski gadi ko follow kareinguey….”

Anny Iqbal ke gaadi mein gayi to Vinay aur Abhay ki maa car mein pehle se the, aur Abhay ki mummy ne Anny ko zor se gale lagaya woh bhi rote huwe….. donon awratein zor zor se car mein rone lage jeise kissi ka dehant ho gaya ho… Aur Iqbal aur Vinay ke ensoo bhi nahin tham rahe the….. Anny ke papa aur mummy bhi jaldi se ghar se nikle aur apni car ko start kiya aur Iqbal ke car ke piche Saleem bhai agaye aur horn kiya. Saleem bhai ke car mein sakeena aur usski mummy bhi the. Huwa ye tha ke Saleem bhai ne pehle Iqbal ko Abhay ke yahan chorra aur Iqbal Abhay ki car drive kar raha tha. Phir wahan se Saleem bhai wapas ghar jaakar apni biwi aur Sakeena ko liya tab tak Iqbal Anny ke yahan pohonch gaya tha aur Saleem bhai se keh diya tha ke Anny ke ghar ke saamne usssko join karein, kyun ke tab tak woh Abhay ki mummy ko lekar Vinay ko lene gaya tha.

Ab teenon car tez raaftaar se subha ke takriban 4 baje raaston mein hawa se batein karte huwe dikhaayi de rahe the. Iqbal ki gadi sab se aguey tha, usske piche Saleem bhai aur usske piche Anny ke papa aur mummy the. Sab ke dil zoron se dhadak rahe the. Bahot lamda safar tha aur Anny behaaal thi, reh reh kar purani baton ko yaad kar kar ke bayaan karte huwe Abhay ki maa ko kehte jaaa rahi thi zor se rote huwe aur sab ko rula rahi thi. Iqbal ne ek baaar kaha, “Mere enkhon ke ensoo mujhko raasta saaf dekhne ke liye rok rahein Anny please ab to chup ho jao, mujhko kitna rulaogi, ab to tumko khush hona chahiye ke hum Abhay se milne jaa rahe hein….. “ itna kaha Iqbal ne phir khud rone laga yeh kehte huwe…. “Sala main bhi pata nahin kyun Abhi ko mudhkar thik se nahin dekha jab Sakeena ne mujhse kaha ke woh dekho ek aadmi humko ishara kar raha hai upar se….. mera yaar mere kitna kareeb tha aur mein ne ussko dekha bhi nahin, woh shaayad mujhko rok raha tha ya phukaaar raha tha aur main seedha chalta gaya mudhkar apne yaar ko dekha bhi nahin……” Iqbal iktna zor se roya ke ussko brake lagana pada kyun ke kuch aguey dekh nahin paa raha tha kyun ke enkhon mein ensoo bhare huwe the, naak se paani beh raha tha….. jab usske car ruka to peeche donon car ruke aur Saleem bhai apne car se nikal car aya dekhne ko ke kyun Iqbal ruka huwa hai… jab wahan gaya to dekh ke sab ke sab bahot ro rahe hein Abhi ke liye…..

Tab Saleem bhai ne kaha ke Iqbal drive na karein, ussne Vinay ko drive karne ko kaha. Vinay Iqbal se ziada mazboot tha aur woh apne jazbaton ko kaabu mein kar sakta tha….. to driver change huwa, aur Saleem bhai ne lead liya, ussne aguey jane ka faisla kiya aur baaki do cars ko usske peeche ane ko kaha. To silsila safar ka jaari kiya gaya aur tab saleem bhai ki car pehla tha tab Vinay wala aur Anny ke papa piche follow kar rahe the.

Chaar paanch ghante ka safaar to tha hi kitna bhi tez na jaate…. Jate jate subha ho gayi, phir din bhi ho gaye aur raaston mein har tarah ki gadiyan dikhne lage ate jate huwe. Aur reh reh kar Anny car mein Iqbal se sawal par sawaal kiye jaa rahi thi ke Abhay kiss haal mein tha, keisa dikh raha tha, hatta katta tha ke nahin vaghaira vaghaira aur baat baat par roti jaa rahi aur Abhi ke mummy mko bhi rula rahi thi saath mein Iqbal ko bhi. Iqbal ne bhi rote huwe jawaab diya, “behaal hai mera yaar, shaayd ussko hosh bhi nahin ke woh kahan hai aur kyun wahan hai…main ne to khwab mein ussko thik se dekha magar uss waqt nahin dekha tha. Khwab mein to wohi aadmi jo upar se niche ke taraf araha tha hamare gadi ki taraf saaf nazar aaye magar hakikat mein woh nahin dikha tha…… tab Vinay ne kaha, “Aur agar khwab sir ek khwab nikla to? Agar wahan jaakar yeh pata laga ke woh aadmi koyi aur hai to? Tab Iqbal ne kaha, “Ho hi nahin sakta. NAAMUMKIN. Main ne zindagi mein kabhi weisa khwab nahin dekha, woh khwab nahin ek sandesha tha, ek mawjeza tha, kudrat ke taraf se ek paighaam tha… kuch to tha zaroor…magar main nahin bayaan kar sakta ke woh kia tha jo mere khwab mein aaye the, lag raha tha ke Abhi mere bahon ko pakar kar mujhko jhinjhorr raha tha aur uss se milne ke liye bula raha tha…..”

Aur tabhi Anny ne rote huwe kaha, “Vinay aur main ne kyun ussi khwab ko dekha jo Iqbal ne dekha woh bhi ussi waqt jiss waqt Iqbal ne dekha? Abhi hum logon se contact kar raha hai ghaibi tarike se, yeh upar wale ki chamatkaaar hai yaar…kuch na kuch to hai, humko Bhagwaan milana chahta hai apne tarike se….. koyi maane ya na maane main to ab yakinan Bhagwaan ki chamatkaar ko maanti hoon……”

Phir Iqbal ne kaha, “isska saaf matlab hai ke kal hum sab ko Abhi ne dekha tha aur uss ne humko ya Saleem bhai ko pehchaan liya tha issi liye woh hamare taraf araha tha…” To Abhi ki maa ne kaha, “Tum wahan kiss liye gaye the Iqbal?” to iqbal be achanak bahot heyraani mein aur chohonkte huwe zor se chilla kar kaha, “Woh dargah, woh darge wale baba! Wohi chamatkaar hai… are han yaar…hum log wahan ke ek darga par gaye the..Saleem bhai hum ko le gaye the wahan…. Are ussi darga wale baba ki chamatkaar hoga… magar hum ne uss se Abhay ke bare mein poocha hi nahin phir bhi kuch na kuch to huwa hoga… abhi humko sab pata chalega whan pohonchte hi, main dobara uss darga par jawunga…. Kuch na kuch to zaroor huwa hai, koyi na koyi link zaroor hai Abhi ki uss darga ya uss darga wale baba se…. sab chamatkaar tabhi huwa hai ab mujhe yakeen hone laga hai…..”

Uss chote se sheher se teenon car guzre aur Iqbal ne sabko bataya ke wahan Abhi ki aakhri photo chorra Saleem bhai ne….. aur jeise hi car uss kachchi gali mein entry kiya, to Iqbal bechain ho gaya aur uss taraf nazrein dawdane laga jiss taraf kal upar se Abhi ko ate huwe dekha tha…… dhire dhire dhool mitti ke udhte beech teenon car aguey badh rahe the aur thik uss jagah jahan kal gaye rasta paar kar rahe the Saleem bhai ne brake lagaya aur car se sar baahar nikaal kar peeche dekhte huwe Iqbal se poocha “Yahin par tha nah??”……..

To be continued……………
 
Dimaagh ka garam, Dil ka naram
365
69
28
Update 68

Phir hona kia tha; sab gadi wahin ruke aur Iqbal jaldi se dawdte huwe ek aadmi se poocha, “Bhai sahib kia yahan kissi Abhay naam ka aadmi upar kaam karta hai aap ko pata hai” Uss aadmi ne itne sare logon ko car se nikal kar baahar ate huwe dekh kar kaha, “are han woh jo Seema ke saath raha karta hai aur darga mein baba ke paas rehta hai nah han woh to yehin upar kaam kar raha hai…. Shayad Abhi naam hai usska, ek roz raat ko hum ussko dhunde gaye the guffe mein mila tha….” Bus uss aadmi ka itna hi kehna tha ke Iqbal upar dawdte huwe jane laga zor se “ABHIIIIII” chillate huwe…. Usske piche ussi raftaar se Vinay ne follow kiya…. Ab upar bade bade machinon ke awaaz se wahan par Iqbal ki awaaz to nahin ja rahi thi aur Abhi to upar bilkool uss paar tha. Drilling machine ke awaaz ke beech mein patharon ka kaam kar raha tha Abhay aur zameen ke taraf jhuka huwa tha phir thik usske bagal mein do aadmi drilling machine liye huwe pathar par ched kar rahe the……

Niche se dhire dhire Saleem bhai, usski biwi, Sakeena, aur Abhay ki maa upar ke taraf charr rahe the aur Ananya bhi dawd rahi thi Vinay ke piche….. koyi 100 metre tak upar jana tha phir upar pohonch kar phir uss taraf niche utarna tha Abhay tak jaane ke liye. Koyi 20 log kaam kar rahe the wahan aur trucks bhi the kahin kahin par. Jab Iqbal upar ponhcha to ruk kar charon taraf nazrein dawdate huwe Abhay ka talaash karne laga sabhi mazdooron ke beech…. Usska dil bade zoron se dhadak raha tha aur bahot sare udhte huwe dhool ki vajah se kuch saaf dikhaayi nahin de raha tha….. Vinay nahin ponhcha tha tab tak aur jahan Vinay tha usske piche Ananya thi, to Iqbal ko ruke dekh kar weh donon ruk gaye jahan the wahin aur Iqbal ke chehre ko dekh rahe the aur samajhne ki koshish kar rahe the ke kyun Iqbal khamosh ho gaya, kia Abhay wahan nahin dikha….. Anny ka dil bechain tha aur ussne rote huwe Iqbal se chilla kar poocha, “Iqbal kia huwa? Mera Abhi wahan hai ke nahin?” Iqbal mudhkar Anny aur Vinay ke taraf dekhte huwe hath ke ishare se unn donon ko upar ane ke liye ishara kiya….bahot hamp raha tha woh kyunke bahot tezi se dawd kar upar tak ponhcha tha.

Phir jab teenon upar aagaye to teenon apne nazron ko sabhi mazdooron ke upar ek ek karke Abhi ko khojne lage….. Aur niche jahan car stop kiye the unn logon ne wahan hulad mach gayi…. Engineer sahab aa rahe the to usski gadi nahin aa paaye kyun ke teen car beech raaste mein khade kiye gaye the aur dusri taraf se ek aadmi jaanwaron ko charane ke liye jaa raha tha, bail, bhains, aur bakriyon ki toli sameth woh bhi beech raste mein ruka huwa tha upar ke taraf dekhte huwe….

Aur dhire dhire gaon ke log ek ek karke wahan agaye cars ke paas kyun ke rasta bilkool block ho gaya tha aur khabar pure gaon mein pheyl gaye - sab log Saleem bhai, usski biwi aur Sakeena ko upar ke taraf jaate dekh rahe the aur ziada upar sab log Iqbal, Vinay aur Anny ko dekhne lage…kuch log apas mein batein karne lage kyun ke woh aadmi jiss se Iqbal ne Abhi ke bare mein poocha ussne sab ko bata diya ke Abhi ke pariwaar aye hein ussko lene. Tab yeh baat Akaash ke kanon tak ponhcha aur ussne turant Seema ko phone lagaya upar sabko dekhte huwe. Phone par Seema se Akaash ne kaha, “Turant wapas ghar awo, bahot urgent hai, apne manager se kaho urgent phone aya hai tumhare ghar se, agar woh nahin maane to mujhse baat karwao, aur sunon taxi lekar ana, bus se nahin, jaldi…..” Seema poochti hi rahi ke kia baat ho gayi magar Akaash ne phone kaat diya. Seema ne try kiya aur manager ne ussko jane diya aur Seema jaldi se ek taxi liya wapas ghar ane ke liye.

Ek chota ladka dawte huwe darga tak gaya aur budhe baba ko khabar diya ke Abhi ke gharwale ussko lene agaye hein…. To budhe baba bhi jaldi jaldi darge se wahan jane ke liye nikla….

Phir upar se Iqbal, Vinay aur Anny ahiste ahiste uss taraf se niche ke taraf badhne lag ek ek mazdoor ke chehre mein dekhte huwe….. to ek aadmi ne unn logon ko toka, “Kidhar jaaa rahe ho aap log, yahan jaana maana hai…..”

Aur uss taraf Akaash upar gaya Saleem bhai se mulakaat kiya aur kaha, “Main yahan ka engineer hoon kia aap logon ki koyi madad kar sakta hoon? Kia aap kissi ko dhund rahe hein?” Saleem bhai halaan ke mazboot insaan tha uss waqt bahot emotional ho gaya aur ensoo bhare enkhon se Akaash se kaha, “Dekho bhai hamara ek bacha hai Abhay, lagta hai ke woh yahan par kaam karta hai to hum ussko lene aaye hein….” Akaash ne muskurate huwe kaha, “Achchah Abhi? Han woh mere saath hi kaam karta hai uss taraf hoga aap log niche chal kar intezaar kijiye main ussko lekar abhi niche ata hoon, aap zara gadiyon ko side par kijiyega, tab tak main Abhi ko lekar abhi aya!”

Saleem bhai, Sakeena, Abhi ki maa aur Salim bhai ki biwi sab wapas niche chale gaye aur Saleem bhai ne sabhi cars ko side mein kiya aur jaanwar charaane wala aadmi apne jaanwaron ko lekar chala gaya kheton ke taraf phir bhi bhirr ekatha ho chukka tha wahan… aur phir darga wale baba aaye to Saleem bhai se direct mulakaat ho gayi. Budhe baba ke gale lage Saleem bhai aur rote huwe Saleem bhai ne baba se kaha, “baba laanat hai mujhpar huzoor, kal main aap se mila magar iss ke bare mein zikr bhi nahin kiya ke hum apne bachche ko mahinon se dhund rahe hein……” budhe baba ne Saleem bhai ka peeth thapthapaate huwe kaha, “Yeh Allah Miyan ka hukm tha ke aap wapas awo ussko lene, kal ussne aap ko pehchaan liya tha aur aap ka naam phukara bhi tha sabhi logon ne yahan par suna magar aap ko hi nahin sunayi diya tha yeh sab khel hai taqder ka, woh upar wala kab kissko milata hai kab log bicharte hein yeh sab usska farmaan hota hai….aap ka naam Saleem bhai hoga hai nah miyan?” Saleem bhai apne ensoowon ko ponchte huwe apna sar hillaya. To budhe baba ne kaha, “aap ka hi naam phukara tha Abhi ne jab aap ki gadi wapas jaa rahi thi mere yahan se hokar, magar aap ne usski phukaar ko nahin suna magar upar wale ne sun liya aur aaj aap ko bhej diya yeh usska karishma hai janaab.” Saleem bhai aur rone lage yeh jaankar ke kal Abhi ne ussko phukara aur ussne suna bhi nahin aur ruka bhi nahin…. Phir kuch ghusse mein aur afsos karte huwe apne haath ko car par peette huwe Saleem bhai ne kaha, “laanat hai meri police hone par, itne bade bade case ko solve karta hoon main aur aaj main naakaam ho gaya! Laanat hai!!! Uss masoom ne mujhko phukara aur main chalta gaya kia beeta hoga uss bachche par ya Khuda mujhko mwaaf karna mere maalik!!” Saleem bhai ko rote huwe dekh kar usski biwi aur Sakeena bhi rone lage saath mein Abhay ki maa bhi.

Aur kuch der baad ek taxi ruki thik wahin par kyun ke bahot log jama ho gaye the aur Seema taxi se nikal kar, apne tez dil ki dhadkan ko, haath ko apne chaati par rakh kar sambhaalte huwe budhe baba se poocha, “Kia huwa baba? Kaun hein yeh log? Kuch bura to nahin huwa nah? Kyun mujhko Akaash ne phone karke wapas bulaya office se?”

To be continued……………
 
Dimaagh ka garam, Dil ka naram
365
69
28
Update 69

Budhe baba ki nazron mein afsos kam aur khushi ki jhalak ziada dikha jiss waqt Seema ne sawaal kiya tha uss se ke kia huwa aur kyun ussko office se phone karke bulaya gaya. Jiss nazar se budhe baba Seema ke chehre mein dekh raha tha jawaab dene se pehele, Seema ko sawaal dohraane par majboor kia. Uss ne phir poocha, “Baba batao na kaun hai yeh log? Kyun sab upar ke taraf dekh rahe hein eise koyi haadsa pesh aya kia? Ajay kahan hai baba aur Abhi? Kuch huwa to nahin? Uss waqt Anny aur Saleem bhai sun rahe the aur jab Anny ne Abhi ka naam Seema ke zuban se suna to who Seema ke chehre mein ek ajeeb tarike se dekhne lagi aur Saleem bhai ne Seema ko dekh kar Anny ko dekha aur socha ke kahin yeh ladki ab Abhi ki zindagi ka hissa to nahin ban gayi?

Anny ko ek chakkar aya aur who zameen par girne hi wali thi ke Saleem bhai ne ussko sambhala aur car ke piche wale seat par letaya…aur uss taraf budhe baba ne Seema ko sab baton ka khulassa diya……
**************************************************************************************************************************

Seema ne Anny se kaha, “Abhi mera pati hai aur hum donon 5 mahinon se ek saath reh rahe hein tum please mere sapnon ko chakna choor mat karo iss se pehle ke Ajay Abhi ko lekar idhar aaye tum log yahin se wapas laut jao….. Abhi ko mujhse juda mat karo please jayiye aap log, aap sab chale jayiye yahan se. Anny zor se rone lagi aur Abhay ki maa ke gale lagkar apna dard chupane ki koshish kar rahi thi. Sab log munh phade Seema ke taraf dekh rahe aur gaon walon ne bhi Seema ka saath diya aur kayi logon ne aakar kaha ke han Seema aur Abhi pati patni hein. Kuch logon ne Anny ko aur Saleem bhai ko bataya ke agar Seema nahin hoti to aaj Abhi thik nahin hota. Jab Abhi thik huwa to ussne Seema se shaadi karne ka faisla kiya aur donon ke panchaayit ke saamne shaaadi ki hein….. Aur Seema apne peth par Anny ka hath khinch kar rakhte huwe kaha,

“Main Abhi ke bache ki maa banne wali hoon yeh dekh, ab please mere pati ko baksh do aur chale jao yahan se please nahin to main paagal ho jaungi…aur dekho agar Abhi niche aya aur ussne tum logon ko pehchaan kar mujhko chorr diya to main abhi ke abhi iss janam lene wale bache ko maar dalungi aur khud apni jaan lelungi, tum log jao yaha se chillakar Seema ne unn sab se kaha………..”

Ananya zor se chillaayi, “Nahiiiiiiiiiiiin eisa nahin ho sakta…..” aur car ke piche wale seat se uthi jahan Saleem bhai ne ussko letaya tha…… Saleem bhai ne kaha, “araam se beta araam se kia huwa koyi bura sapna dekha kia?” Ananya bilat rahi thi aur car ke baahar Seema ke taraf dekhte huwe apne tez dil ki dhadkanon ko thaame Saleem bhai se kaha, “Yeh ladki keise Abhi ko jaanti hai? Kaun hai yeh main ne sapne mein issko dekha aur yeh apne aap ko Abhi ki patni keh rahi thi Saleem bhai, Bhagwaan kare ke eisa kuch nahin huwa ho!!!” yeh kehkar Anny tarap tarap kar rone lagi aur usske parents aur Abhay ki maa ussko shaant karne mein lag gaye…… Aur Saleem bhai gaya budhe baba aur Seema ke paas kuch jaankaari haaasil karne ke liye.

Kuch der baad Saleem bhai ne aakar Anny ko bataya ke Seema uss engineer ki hone wali mangitar hai aur ussne Abhi ki bahot madad kiya hai ussko sambhala hai aur usska shukriya ada karni chahiye…… yeh sab sunkar Anny ke jaan mein jaan aayi who to kuch aur hi sochne lagi thi. Saleem bhai ne Anny ko kaha, “Dekho beta tum ziada thaki huwi ho, bahot roya hai tum ne aur neendh bhi kum hai tumhaari, issi liye tumko chakkar aya aur tum behosh ho gayi…apne aap ko sambhalo, eise darawne khwab tabhi ate hai jab koyi ziada tension mein hota hai tum sambhalo apne aap ko hamara Abhi ata hoga usske dosts gaye hein na upar. Intezaar karo, sabr karo thoda sa aur.”

Aur ab upar Vinay aur Iqbal unn bade bade machinon ke ghadghadahat ke beech se guzarte huwe eke k mazdoor ke chehre ko dekhte huwe ahiste ahiste aguey badh rahe the aur piche se kissi ne zor se phukara “hello wait please…..” weh donon piche mudhkar dekhe to Akaash ne kaha, “Main yahan ka engineer hoon aap log mere saath aiye main batata hoon Abhi kidhar hai.” Akaash ne sabko machinon ko off karne ka aur kaam bandh karne ka ishara kiya. Sab khamosh ho gaye aur sanata chah gaya achanak. Abhi ko heyraani huwi ke sab achanak khamosh kyun ho gaye to woh apne kamar par peeche ke taraf hath rakh kar seedha khada hote huwe ek taraf dekhkar dusre mazdoor se poocha “chae ka time ho gaya kia? Sab machinein kyun ruk gaye?” to uss mazdoor ne ussko Akaash ke taraf haath se ishara karte huwe bataya. Aur jab Abhi ne engineer babu ke awr dekha to paaya ke do jawaan aadmi usske saath ussi ke taraf aa rahe the aur apne peshani par haath se suarj ke kirnon ko rokte huwe Abhi enkh phade huwe aur munh khole jeise ek gehra shock laga ho aur jeise kuch kehna chahte ho par awaaz nahin nikal raha ho uss andaaz mein bhawklaye huwe dekhta gaya…… aur dhire dhire Vinay aur Iqbal uss ke taraf badhte gaye……

Uss waqt donon doston ne Abhi ko dekha nahin tha kyun ke sar jhukaye huwe donon Akaash se batein karte huwe aguey badh rahe the…….. Aur jeise jeise donon Abhi ke kareeb hote gaye weise weise Abhi ahiste ahiste unn donon ke taraf kadam badhata gaya unnke chehre mein dekhte huwe apne sansson ko thaame aur ensoowon ko chalakne se bachaate huwe…… Usski sansein tez hota jaa raha tha aur achanak Iqbal ne nazar uthaya aur zor se chilaate huwe kaha, “ABHIIIIIIIIIIIIIII- VINAY DEKH HAMARA YAAR ABHI RE…AAA JALDI AAA VINAY……” Itna kehkar Iqbal dawdne laga Abhi ke taraf aur Vinay ne jab sar utha kar dekha ke Abhi kiss haal mein hai to wahin baith gaya aur zoron se zameen par haath peette huwe rone laga……

Udhar Abhi, Iqbal ko apne taraf dawte huwe dekh kar tham gaya, khada ho gaya aur ghurrne laga Iqbal ko niche ke taraf jhuk kar usske chehre mein dekhte huwe…… Iqbal usske paas aakar bahot zor se Abhi ko bahon mein jakar liya aur ussko baahon mein uthaakar goal goal ghumne laga…… Abhi ki awaaz nahin nikal rahi thi woh bilkool bhawkla sa gaya tha aur samajh mein nahin araha tha ke usske saath kia ho raha hai…… Iqbal ne Abhi ko chorrte huwe usss se kaha, “Abhi main Iqbal, Iqbal, woh dekh piche woh Vinay, pehchana yaara? Pehchana nah? Nah mat bolna yaar na mat bolna bahot intezaar kiya tera yaa kia haal bana rakha hai meri jaan yeh kia haal bana rakha hai aur kia kar raha hai yahan tu yaar mazdoori? Mera yaar mazdoori kar raha hai haye re meri kismat main marr kyun nahin gaya re!! jiss ke badawlat main araam se jee raha hoon aaj usski yeh haalat are o engineer babu iss se aap mazdoori karwate ho? Pata hai yeh kaun hai?” Iqbal ke ensoo tham nahin rahe the woh itna ro raha tha ke usske alfaaz samajh mein nahin aarahe the…… baaki ke sabhi mazdoor ekatha ho gaye sab dekh kar aur Akaash Vinay ko zameen se uthate huwe Abhi ke paas legaya uss se milne ko….. Par Abhi bilkool shocked tha jeise ussko ek gehra sadma laga ho…woh na to hanss raha tha na ro raha tha magar usska munh khula huwa tha aur usske enkhen mote mote khule huwe the aur lagta tha bahot zor se chillakar rone wala hai….Magar jeise statue ban gaya ho aur apne aap ko rok raha ho, weise stithi mein lagta tha…….

Vinay aakar zoron se rote huwe Abhi ko gale lagaya aur ro ro kar uss se batein kiya phir bhi Abhi kuch nahin bola aur donon doston ke chehre mein bhawklaye dekhta gaya…usske lambe baal dhool mein latpat, usske dhadi lambe aur uss mein bhi dhool aur mithi mile huwe, usske kameez phate huwe aur pants ajeeb….. yeh sab dekh kar Iqbal aur Vinay ko aur bhi ziada rona araha tha…… Woh jo hero, dance master the, woh jo araam ki zindagi basar karte the, woh jissne dusron ki zindagi ko chain aur araam diya tha aaj khud weise haalat mein honge yeh Iqbal aur Vinay se ganwara nahin ho raha tha aur donon doston ke ensoo ruk hi nahin rahe the……

To be continued……………………..
 
Dimaagh ka garam, Dil ka naram
365
69
28
Update 70

Donon doston ne Abhi ko rote huwe gale se lagaaye rakha aur Akaash ne kaha, “chalo bhaiyo niche sab wait kar rahe hein…” Tab Iqbal ek hath se apne gaal par behte ensoo ponchte huwe bola,

“Are han Abhi pata hai, Anny aayi hai, Saleem bhai, teri mummy sab aaye hein tujhko ko lene sab niche intezaar kar rahe hein chal chal chalte hein….”

Tab Abhi ke kaandhe par donon doston ne donon taraf se haath feylaaye huwe pakra tha aur Iqbal Abhi ke dayein taraf tha aur Vinay bayein taraf, donon ke ek ek bazu Abhi ke kaandhe par the aur teenon ek saath jaane lage niche ke taraf…magar pehle to dusre taraf ke niche se upar chadhna tha phir upar se uss taraf ke niche utarna tha jahan sab wait kar rahe the. Khir keise bhi karke teenon uss mukaam par ponhche jahan se Saleem bhai ne dekha teen log khade the upar, uss ko saaaf dikh gaya k eek taraf Iqbal tha aur dusre tarah Vinat to beech mein anumaan se kaha ke who to Abhi ke siwa koyi aur ho hi nahin sakta aur chalakte enkhon se Anny ke taraf car mein mudhkar kaha, “Tera Abhi beta!! dekh upar…..”

Ye sunkar Ananya jhapat kar car se nikli sar upar ke taraf uthaye huwe aur achanak ruk gayi upar dekhte huwe…… Anny ki dil ki dhadkanein bahot hi ziada tez ho gayi thi aur enkhon se askh ruk hi nahin rahe the…… Phir Abhay ki mummy bhi aayi Anny ke peeche aur Sakina aur usski maa bhi… sab log upar ke taraf dekh raahe the aur Iqbal aur Vinay ne wave kiya sab ko niche dekhte huwe….. Anny rote rote apne ghutnon par aa gayi jeise church mein log pray karte hein uss position mein hokar apne Abhi ki dasha dekh kar bilat bilat kar zor se chillate huwe ro rahi thi aur Abhay ki maa Anny ko sambhaaalne ki koshish kar rahi thi khud apne bête ko dekh kar rote huwe……

Anny kabhi upar dekh kar to kabhi Abhay ki mummy ke chehre mein ensoo bhari nazron se dekhte huwe zor se rote huwe boli, “Kia haal ho gaya mere Abhi ka mummy, usska yeh haal keise huwa mummy ji mujhse dekha nahin jaa raha mummy usske saath eisa kyun huwa mummy ji…..” Abhay ki maa bhi rote huwe aur saath mein Anny ko chup karaate huwe ussko hawsla dete kaha, “Chup hoja, chup hoja hamara Abhi mil to gaya nah ab sab thik ho jaega tu fikar mat kar mera laal araha hai dekh usske saathi keise ussko laa rahe hein dekh dekh…..”

Abhi dhire dhire niche ke taraf utar raha tha apne do doston ke beech magar ab tak ussne ek bhi lavz nahin kaha tha bilkool bhawklaya huwa tha aur niche ke taraf dekh raha tha magar jahan se woh dekh raha tha ussko to koyi 200/300 log jama nazar arahe the…gaon ke sab log jo juth gaye the wahan, jahan Anny aur baaki ke log the…… To Abhay ki nazar unn mein se kissi par nahin padi thi balke sirf Seema par usski nazrein gaye….. to ahiste ahiste teenon niche ate rahe aur jab adha faasla kar liya gaya…tab Abhay ki nazar Saleem bhai par gaya…aur ussne achanak Iqbal aur Vinay se haath churaya aur chillaya wahin se khada hokar…. “SALEEM BHAAAAAAAAAAAAI….SALEEM BHAI…RUKO JANA MATT MAIN ABHI ……MAIN ABHI SALEEM BHAI MAT JANA PLEAASE…. MAIN AYA MAIN ABHI AYA….WAIT KARO PLEASE…….” Yeh kehte huwe wo ro pada aur aur donon dost ussko chillate huwe dekh kar bahot ro rahe the….phir Abhi piche mudhkar unn donon ko dekhte huwe kaha, “dekho Saleem bhai , saleem bhai hai woh…..” Phir Iqbal apne sar hillate huwe Abhi se kaha, “Saleem bhai ko pehchaan liya yaar aur doston ko nahin pehchana! Kia yaar!!” Tab Abhi ne rote huwe aur kuch sochte huwe kaha, “magar tumne Anny ka naaam liya tha nah?” to Vinay ne apne hath ko Anny ke taraf ishare karte huwe Abhi ko dikhaya aur kaha, “Woh rahi teri Anny” Magar Abhi ne Seema ke taraf dekha aur kaha, “Han ussko to main Anny hi bulata tha maagar woh to Seema hai Akaash ussko love karta hai….”

Iqbal ne sar hillate huwe ensoo bhare enkhon se Abhi se kaha, “Are Abhi mera dost tu ghalat dekh raha hai, who Seema hai han magar tujhko kia wahan teri Anny nahin dikh raha? Wo dekh yaar udhar teri mummy ke paas tujhe hi dekh rahi hai, bahot intezaar kiya tera ussne yaaar bahot dikhi hai jaa jaa kar mil le apni jaan se……” Aur Abhi ne Iqbal ke baton ko ansuna karke Salim bhai ke taraf dawte huwe chala gaya. Niche aate hi lapak kar Saleem bhai ke gale se laga zoron se ussko apne bahon mein kaske jakar ke aur zor zor se rote huwe kehta gaya ek chote bachche ki tarah, “Kia Saleem bhai main ne kitna phukara aap ko kal aap nahin ruke aur mujhko yahin chorr kar chale gaye, main ne kitna phukara tha aap ko aap kyun nahin ruke Saleem bhai, main bilkool akela hoon yahan mujhe ghar ka pata nahin, pata nahin keise ghar wapas lautta main mera koyi nahin yahan Saleem bhai mujhe sab akele chorr gaye, dekho main upar kaam karta hoon Saleem mujhe chorr ke mat jaana please main yahan tanha hoon bahot akela hoon, akele akele rota hoon, kissi se kuch nahin kehta magar dil hi dil mein bahot yaad karta hoon aap sabko…mujhe ghar lechalo Saleem bhai mujhe apne saath lechalo please…..”

Aur kia hona tha uss manzar ko bayaan karna mushkil hai. Saleem bhai jeise kadak mard khud jab zor se rone lage Abhi ko tassali dete huwe aur usske sar par haath pherte huwe kehta gaya, “Han beta han zaroor tujhko ghar lejaunga yaar, pata hai kitna dhunda tumko hum sab ne, main ne puri force laga di thi tujhko dhundne ke liye beta kia pata tu yahan hai……” wahan ke sare log zor se ro pade jeise koyi bolywood ka filmi scene chal raha ho….. aur kehne ki zaroorat nahin ke Seema, Anny aur Abhi ki maa kitne rote jaa rahe the Abhi ka wo haal deklh kar aur ussko ek chote bachche ki tarah rote huwe dekh kkar….. Abhi ki awaaz tut jaati thi itna ro raha tha baat karte huwe, naak se paani aur enkhon se ensoo jaari the, ke achanak usski nazar Saleem bhai ke kaandhon se hokar usski maa par gayi phir to Saleem bhai ko chorr kar eise dawda apni maa ki goad mein ke kia kehna yaaro…… Ek maa hi samajh sakti hai kitna sukoon mila usske jigar ke tukde ko apne goad mein wapas paakar, aur Abhi weise hi ussi andaaz mein rote huwe bachche ki tarah kehta gaya tuti huwi awaaz mein, “Maa, mummy, kitna misss kiya tumko, main kho gaya tha maa, mujhe wapas ane ka rasta nahin maloom tha, main sab kuch bhool gaya tha ma kabhi kabhi teri tasveer aati thi dhundle dhundle khwabon mein aur pata chalta tha tu meri maa hai…main to kabhi kabhi bahot darr jata tha ke phir apni mummy se mil bhi paunga ke nahin …..mumy main ghar wapas jana chahta hoon..main bahot dukhi hoon mummy…..” Seema aur Anny bilak bilak kar zor se rone lage Abhi ko uss haal mein dekh kar, aur donon dost bhi tab tak wahan agaye the aur sab ro rahe the…..

To be continued……………
 

Top