Romance Aur Ek Prem Kahani (COMPLETED)

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
365
69
28
Update 51

Do mahine beet gaye magar Abhay ka pata nahin chala ghar walon ko. Anny gumsum si rehne lagi aur Saleem bhai Abhay ki talassh mein lage rahe magar bahot mayoos the apne naakaamyaabi par. Police wale aur special squad ke log bhi lag gaye Abhay ko dhundne mein magar kissi ko pata nahin chal raha tha ke Abhay kahan kho gaya hai. Kayi baar to hospital mein Abhay ke hulya ka laash ki moayena karne ke liye Abhi ki maa ko aur doston ko Anny ke saath hospital jana pada dekhne ke kahin woh Abhay ki laash to nahin, takriban 10 baar weisa huwa. Abhay ki maaa tang aagayi aur Vinay aur Iqbal se kaha, bina vajah har baar hospital jane ki stress se bachne ke liye unn donon ko jane ko kaha aur agar Abhay ki laash mile tab ussko pata karna. Anny ne bhi hospital jana ban kardiya aur Saleem bhai har baar Vinay aur Iqbal ko lekar jaate jab police walon ko koyi weisaa laash milta to.

Ek baar to eisa huwa ke bilkool Abhay ke umar ka ek laash hospital mein aya, jiss ka chehra bilkool bigra huwa tha ek accident mein, adhah chehra jal gaya tha aur adha chehra tha hi nahin, usska kad bilkool Abhay ke kad ka tha, chamre ka rang bhi weisa hi tha, sar ke baal jal gaye the jism bhi bahot jala huwa tha…. Teenon Saleem bhai aur donon dost uljhan mein par gaye ke kahin woh Abhay hi naa ho!! Unn teenon ko Abhay ke jism ke andar ke nishan ke bare mein kuch pata nahin tha jo uss laash ko pehchaan sake, to Abhay ki maa ko bulana chaha unn logon ne magar Vinay ne dhire se Iqbal se kaha, “Kyun na hum Anny ko kahein, woh bhi to Abhi ke andar ki jism ko jaanti hai? Jiss haalat mein yeh laash hai agar Abhi ki mummy ne dekha to pata nahin woh sehen kar paegi bhi ya nahin?”

Saleem bhai ne unn donon ko sunn liya aur kaha, “To kia Anny iss laash ko iss haalat mein dekh sakegi? Manta hoon ke ussko Abhay ke jism ka pata hai magar kia theek hoga ussko ek ghair mard ke jism ko dikhana eise?”

Teenon mein iss baat ko lekar ek choti si behez si huwi. Magar aakhir mein yeh tey huwa ke Ananya ko hi bulaya jaye jism ke andar ke nishaan ko pehchaanne ke liye woh iss liye ke Anny Abhay ko apna pati maanti thi aur ek patni ko apne

shawhar ke jism ko dekhna koyi badi baat nahin aur kyun ke woh jawaan hai aur stress ko bardaash kar leti issi liye pehle ussi ko bulaya gaya moaena karne ke liye.

Han assal mein ek baar sexual encounter ke dawraan Abhay ke jism ke ek hisse par Anny kiss kar rahi thi aur ek kala til ko chumma tha uss se poochte huwe ke kia woh til paidayishi hai ya baad mein huwa tha….. Abhy ne jawaaab diya tha ke ussko khud pata nahin kyun ke ussne khud bada hone ke baad uss til ko notice kiya tha…woh til usske peth ke kaafi niche tha, sex ke lagbhag kareeb…… Ab unn teenon mardon ko iss baat ka pata nahin tha sirf Anny yeh jaanti thi. To phone par Vinay ne Anny ko sab samjhaya aur poocha ke kia ussko Abhay ke jism par kissi eise nishaan ka pata hai jiss se woh usske laash ko pehchaan kar guarantee de sake ke woh Abhay ki laash hai. Turant Anny ko uss til ki yaad aayi aur uss ne kaha ke han woh jaanti hai. To ussko hospital laya gaya.

Ab kyun ke woh jism dekhne ke layak nahin tha, kuch eisa bandobass kiya teenon mardon ne aur Anny ko samjha diya ke ussko chehra nahin dekhna balke sirf uss nishaan ko dekh kar pehchaanna hoga, aur agar woh nishaan paya gaya tab pura jism dekh leinguey sab…. Anny ko manzoor thi magar Anny ko sharm aa rahi thi ke unn mardon ke saamne keise uss jagah par dekhein….. to Anny ne ek lamba saanss liya aur teenon mardon ko baahar jane ko kaha! Aur jab sab morgue se baahar nikal gaye to Anny ne laash par se kapde hatta kar uss jagah par dekha…magar wahan to bahot baal the….. Abhay ke jism par uss jagah par baal nahin the….. phir bhi Anny ne apne ungliyon se baal ko hatta kar khub dhunda, uss ke sex ko bhi apne haaton se chuh kar hatana pada aur Anny ne sab kiya par til ka nishaan nahin tha phir Anny ne baahar aakar rote huwe kaha ke woh usska Abhay nahin hai…. Kia kia karna par raha tha bechari Anny ko apne pyar ke liye, keise keise kathinaayon ka saamna karna par raha tha….. ek eise ladki jo masoom hai, jiss ne kabhi kissi mard ke jism ko dekhi na ho, siwae apne pyar ke aaj kissi ghair mard ke jism ko chhuna pada Kamseen, naazook Anny ko……

Ghar wapas jaakar Anny bahot royi apne Abhay ko yaad karke aur unn haseen lamhon ko yaad karti gayi jab donon ek saath bed par pyar kiya karte the, khaas

kar uss din ko yaad kiya jiss din ussne uss ke jism par uss till ke bare mein poocha tha aur ussko pyar kiya tha…….

Teesra mahina jab kuch bhi khabar nahin mili Abhay ki to Anny ne gambhirta se ek din Vinay aur Iqbal se kaha,

“Hum ko Abhay ke sapne ko pura karna chahiye. Kal se main dance school awungi aur hum apna rehearsal shuru kareinguey, tum donon mein se kissi ko Abhay ka part karna hoga……..”

Iqbal ne kaha, “Bahot sare bulawa arahe hein foreign se hamare show ke liye…. Abhi tak sponsors umeed lagaaye baithe hein, school to hum har roz kholte hein hi aur tuition barkaraar hai, magar rehearsal ruk gayi hai jiss din se tumhare papa wapas aaye….. Abhay ne sab cancel karne ko kaha. Hum ne cancel ki khabar dedi hai chaaron taraf magar sab phir bhi umeed lagaaye baithe hein ab bhi…..”

Anny ne kaha, “Foreign ko filhaal pending chorr diya jaye, hum local jagawon par show kareinguey, sabhi dancers ko agah kardo aur jo naye hamare saath mile hein uss competition ke baad, ache dancers hein unn ko saath liya jaye rehearsals ke liye kal se rehearsal shuru!!”

Abhay ki maa ko khabar kiya gaya ke Anny kal se school aa rahi hai aur sab ne decide kiya ke Anny ko Abhay ki jagah school ka master banaya jaye! Magar Anny ne inkaar kiya aur Abhay ki maa ne bhi kaha jab tak pata nahin chalta ke Abhay zinda hai ke nahin school ke bare mein koyi bhi nirnay nahin liya jaega…. Filhaal school weisa hi chalega jeise chal rahi hai…… Iqbal aur Vinay har mahine tuition ke paison ko laakar Abhay ki maa ko dete hein aur unn mein se woh Abhay ki jagah unn donon ke aur sabhi dusre teachers ke payments karti hai….. Vinay aur Iqbal ka tankhwa badha diya mummy ji ne kyun ke agar weh donon nahin hote to school band hi ho jati…….

Magar Iqbal aur Vinay Abhay ke karazdaar the kyun ke unn donon ko sadak se uthaakar Abhay ne iss kaabil banaya to donon dost ehsaanmand the Abhay ka issi liye donon sidhi tarah se kaam kar rahe the varna donon to sadak chaap the aur

pata nahin aaj kia kar rahe hote agar Abhay ne donon ko apne school mein nahin liya hota!


To be continued………………
 
Dimaagh ka garam, Dil ka naram
365
69
28
Update 52

Uss darga par jahan Abhay uss budhe baba ke sath reh raha tha, ek jawaan ladki aksar aya karti thi baba ko kuch na kuch dene ke liye aur duwaein lene ko. Uss ladki ka naam Seema tha aur woh koyi 20/21 saal ki thi. Woh Abhay ki khamoshi se prabhavit huwi aur usske bare mein jaana chaha to budhe baba ne kaha,

“Pata nahin kaun hai beti, gham ka mara lagta hai, mera shak hai ke yeh kissi ke muhabat mein diwana huwa hai, koyi sadma laga hai issko…..”

Jab bhi woh ladki aati thi to Abhay kissi kone mein ek taraf rehta tha aur enkhen churate huwe ussko kabhi kabhaar dekhta tha. To ek din ladki ne baabaa se kaha, “main uss se baat karna chahti hoon baba, kia main usske karib jawun?” Baba ne jawaab diya, “Are woh to bilkool baat nahin karta, bolta bhi hai ya gunga hai pata nahin! Tu kia baat karegi uss se?” Seema ne zid ki, “Phir bhi main baat karke dekhti hoon…….”

Seema Abhay ke paas gaya, aur usske karib baithi. Niche zameen par baitha tha woh, to seema ko bhi wahin baithni padi aur Seema ne ek muskaan se kaha, “Hello tumhara naam kia hai?” Abhay ne mote mote enkhon se ussko dekha aur usski enkhon mein ghurrne laga, apne sar ko kabhi dayein to kabhi bayein ki owr jhukate huwe Seema ke chehre ko paagalon ki tarah dekh raha tha aur Seema ko kuch darr bhi lag raha tha. Himat karke Seema ne sawaal dohraya to Abhi ne ladki ke chehre mein dekhte huwe kaha, “Anny…anny, anny……..”

Budhe baba ne suna to jhapat ke wahan aya aur khushi ke mare bola, “Karishma, kudrat ka karishma, tu bola beta! Tu bol sakta hai shukriya mere parvardigaar, bache ko sukoon ata farma mere aakah!” Magar Abhay sirf “Anny Anny” ka rath laga baitha tha….

Baba ne Seema se kaha, “tu to isske liye badi khuskismat saabit huwi beti, tu iss se aur baat kar shaayad yeh kuch aur bole, magar Anny to ek ladki ka naam jeisa lagta hai nah? Kahin yeh tujhko woh ladki to nahin samajh raha jiss ki wajah se isska yeh haal huwa hai? Pata nahin kia huwa hoga isske saath!! Sunon beti iss ke jeb mein ek telephone hai, wohi jo aaaj kal ke nawjawan isstemaaal karte hein jebon wala telephone pata hai nah?” To Seema ne poocha, “aap ka matlab cell phone? Isske paas cell phone hai?” To baba ne Abhay ki jab se mobile nikal kar Seema ko dikhaya, to Seema ne phone liya usska moaena karte huwe kaha, “isski to battery bilkool dead hai baba, charge karna padega, magar lagta hai yeh bheega huwa tha, dekho iss ke andar paani hai….kissi nadi mein mila tha kia yeh ladka aap ko?”

Baba ne samjhaya ke yeh khud gida huwa para tha dargah ke saamne….pata nahin kiss nadi mein girr kar behte huwe yahan aya ya keise kuch pata nahin….. Seema ne uss mobile se sim card nikala aur dekha ke who bigar gayi hai jeise ek kaagaz paani mein beegh kar phool jata hjai uss sim ka haalat weisa tha, to pata chala ke usska kuch nahin hoga phir bhi Seema ne baba se mobile apne ghar lejane ki ijazat maangi aur baba ne kaha “lejawo agar ban sakti hai to bana ke wapas kardena shayad uss se iss ke ghar walon ka pata chal sake…..”

Phir Seema ghar chali gayi Abhay ke mobile ke saath. Kyun ke Seema ke yahan Nokia mobile phone tha aur Abhay wala bhi Niokia hi tha to charger same the to Seema ne socha Abhay wala mobile apne charger se charge karke usske memory se number nikaal kar usske ghar walon ka pata to laga sakegi.

Magar afsos mobile bilkool bheeg kar bigar gaya tha aur kuch bhi nahin ho saka. Charger adapt ho raha tha magar charge hi nahin ho raha tha bilkool…. Mobile bilkool dead tha. Seema ne bahot koshish ki, dusre logon ko bhi dikhaya ke koyi ussko sudhaar sake magar uss choti si gaon mein kissi ko ziada pata nahin tha ussske bare mein.

Dusre din laachaar Seema mobile wapas karne ko gayi, aur ussko ate dekhte hi Abhay ne “Anny… Anny… Anny….” kehna shuru kar diya. Baba ke enkh mein ensoo agaye aur Seema se kaha, “Dekh beti, mujhe to rona araha hai, yeh itne dion tak khaamosh tha, laakh mere baat karne par kabhi kuch nahin bola aur tujhe dekhte hi yeh Anny anny karne laga kia maajra hai yeh? Kaun si raaz ki baat hai!!” Seema ne kaha, “Baba aap ijazat dein to main issko zara ghumaane lejawun nadi ke kinare, wahan uss pathar par baithkar batein karungi isske saath, thik hai?” Baba ne kaha, “Han han zaroor lejawo beti, main to isske saath nahin chal paata tuhi isse sher karade ilake ka, tabiyat behel jaegi isska bhi jaa beti jaa, leja issko bhi….”

Seema ne Abhay ka haath thaama aur chalne ke liye kaha. Abhay apna haath chhuraane laga, to Seema ne uss andaaz mein baat kiya jeise ek chote se bachche ke saath dulaar se kiya jata hai yeh kehte huwe, “dekho wahan khubsurat phool hein , titliyan hein, jharrna hai, nadi ke kinare hum uss pathar par baithkar baatein kareinguey chalo nah!” Abhay uss taraf dekhne laga jiss owr Seema ishara karte huwe dikha rahi thi, aur Abhay ne dekhne ke baad muskuraakar kaha, “Paahaad!!” Baba ne enkhon mein ensoo liye huwe kaha, “han beta pahaad bhi hai, jawo isske saath thoda ghumkar aawo” Abhay apne lambe kale dadhi par apne ungliyon ko pherte huwe aur gale ko khujaate huwe Seema ko sar jhuka kar enkhon ko upar uthaakar, jeise uss se chupte chupate ussko dekhte huwe apne sar ko han mein hilaya!” To Seema hanssi aur Abhay ka haath pakar kar apne taraf khinchte huwe kaha, “awo, chalo wahin chalet hein”

Aur Seema ne baba ko Abhay ki mobile wapas kardiya kehte huwe ke woh bilkool kissi kaam ka nahin ekdum se bigar gaya hai. Aur kaha ke pata nahin woh mobile uss ladke ka hai ya nahin ya ussne kahin se uthaya hoga kia pata?!!

Khair Seema abhay ko ek eisi jagah lekar gayi jahan ka nazara bahot dilkaash aur khubsurat tha. Ek romantic jagah tha woh. Bilkool haryaali, thandi hawa ka behna, chidyon ka chehchehaana, nadi ke paani mein jharne ka ghirna, titliyon ka idhar udhar udna, phool khile huwe the chaaron taraf, suhana mawsam…. Seema bahot

khush thi weise jagah par waqt bitane ko, aur socha ke weise jagah par uss ladke ke dil ko sukoon milega.

Ek peyr ke niche, jahan chaaron taraf phool khile huwe the Seema ne Abhay ko ek bade se kaaale pathar par baithne ko kaha aur khud usske paas baith gayi…..

To be continued…………………
 
Dimaagh ka garam, Dil ka naram
365
69
28
Update 53

Uss taraf Anny donon doston ke saath milkar, aur sabhi behtareen dancers ko ekatha karke Rehearsals ke koshish mein lagi huwi thi. Abhay ka part karne ke liye pehle Vinay ko kaha gaya. Jab Vinay Anny ke saath Abhay ka part kar raha tha to ussko bilkool ajeeb sa lag raha tha aur woh nahin kar paa raha tha….. who iss liye ke Ballet dance mein ek dusre ke jism ko mazbooti se chuhna aur pakarna parta hai, jism ke kissi bhi hisse ko ek dusre ke jism ke hisse ke saath bilkool chipkana aur takrana padta hai….. Vinay Anny ki bahot izzat karta tha aur uss mein apne bhabi ko dekhta tha to uss se nahin ho paa raha tha. Ab kitne step bhi miss kar jata tha…. Magar jab woh step miss karta tha to Anny ko sabhi Abhay ke steps yaad the kyun ke donon ek saath milkar sab kar chuke the iss liye jab Anny ko koyi bhi step karke Abhay se lipatna ya kareeeb ana hota tha tab Anny sab khayaal rakhti thi ke Abhay ne keise karke usske karib aya tha…. Isss liye Anny Vinay ko bata rahi thi ke kahan kaun sa step karna chaiye….

Vinay ne Iqbal se binati ki ke woh Abhay ka part kare. Ananya ko bhi dikh raha tha ke Vinay nahin kar paraha tha aur woh samajh rahi thi ke Vinay usske jism ke saath nahin chipakna chah raha tha…… Ab woh uljhan pada Iqbal ke gale mein. To kia Iqbal kar pata woh sab?
Iqbal ne try kiya, jiss jiss waqt Anny usske bahon mein aayi Iqbal ke rowntey khade ho jaate the aur usske enkhon ke saamne Abhay nazar ata tha…. Jiss jiss position mein woh Anny ko apne bahon mein leta tha ussko lagta tha ke Abhay kahin se dekh raha hai aur dance rehearsal ke dawraan Iqbal apne sex ko bilkool Anny se nahin chuhne ki koshish mein laga rehta tha to iss kaaran step kharab ho jate the……

Phir teenon baith kar apne aap discussion mein lage rahe ke kia rehearsal thik ho raha hai ke nahin. Natija yeh nikla ke Abhay ka part bahot kharaab jaa raha hai. To kia kiya jaye? Bahot lambi behez ke baad Anny ne unn donon se kaha, “Kamaal karte ho tum donon bhi, apne sharir ko mere sharir se takraane mein kyun bachon ke tarah Sharma rahe ho? Kia Abhay weise hi dance karta tha mere saath? Donon ko bahot sharam arahe the aur iss baat ka jawaab kissi ne bhi nahin diya Anny ko. Phir kuch der baad Vinay ne sujhaw diya ke Abhay ka part uss ladke se kiya jaye jissko competition mein dusra inaam mila tha.
Tab Iqbal ne jaldi se kaha, “Han woh bahot hi achah dancer hai, bilkool Abhay ki tarah ussne bhi ballet kiya tha uss din show mein aur Abhay bhi bahot khush huwa tha uss ke performance se, to chalo ussko hi kehte hein Abhay ka hissa karne ko…..” Anny khade hokar donon ko ghusse mein dekh rahi thi magar muskurakar kaha, “Achah thik hai agar tum donon se nahin hoga to uss se hi sahi!”

Uss ladke ka naam tha Amaan. To Amaan ke saath Anny ne rehearsal shuru kiya. Usske steps bahot badhya the aur Vinay aur Iqbal dekh kar bahot khush huwe…. Woh bahot chanchal tha aur tez bhi, lagta tha ke Abhay hi dance kar raha hai…jiss tezi se woh Anny ko ghuma kar apne dayein bazu se bayein bazu mein lata tha jeise ek bijli ke kadakne se kuch chamakta hai weise chamak jeisa tha uss ke tez harkaton mein….. Magar ek cheez donon Iqbal aur Vinay ghaur se dekh rahe the ke woh ladka Anny ke jism ko bilkool apne jism se lagakar kaske eise dance kar raha tha jeise woh usski mehbooba ho……. Aur naachte waqt Anny jeise kho jaati thi, khud khayaal nahin rehti thi ussko ke woh Abhay ke saath naach rahi hai ya kissi aur ke saath……

Kabhi kabhi dance mein donon ke chehre ek dusre ke enkhon mein dekhte huwe honth honth ke bilkool kareeb hote aur baahein peeth se ahiste ahiste Anny ke kamar par pherte huwe usske kamar ke niche pichwade par jaate aur Anny ko khinchkar bilkool apne jism ke nazdeek laatey aur apne chaati ko usske chaati se dabate huwe apne honton ko Anny ke gale par pherte ahiste ahiste…… Yeh sab karte waqt Anny jeise bilkool hosh o hawaas khodeti thi aur bekabu ho jaati thi……

Vinay aur Iqbal sab dekhte har roz jab tak rehearsal chalta….. kayi dinon tak eisa chala…… Aur ek din Amaan Anny ke saath akela tha jab Iqbal aur Vinay nahin aye the; kissi sponsor se milne gaye huwe the, uss waqt Amaan Ananya ke saath akele mein kuch steps try kar rahe the. Donon ek dusre ke bahon mein ek bahot romantic music par romance bhara dance kar rahe the aur Anny usske bahon mein tha aur Amaan ke honth Anny ke honton tak ponhcha aur ussne Anny ko zor se bahon mein leke Anny ke honton ko chumne laga apne pure jism ko Anny ke badan par dabaaye huwe, phir apne ek haath se Anny ke haath mein daalkar usski ungliyon ko apne ungliyon mein jakar kar woh Anny ke jeeb ko apne munh mein lene ki koshish kar raha tha jab Anny ne achanak jeise hosh sambhaalte huwe Amaan ko ek chota sa Dhaka dete huwe kaha, “Stop it Amaan!! Kia hai yeh! Paagal ho tum?!”

Amaan sar jhukaaye huwe, do kadam piche hatta aur sorry kehkar phir Anny ke hathon ko apne haath mein lete huwe apne taraf khincha aur dance continue karne ko kaha….. Anny ne dance karte waqt kaha, “behave yourself Amaan, please concentrate on the dance only not on me!” Amaan ne kaha, “Keise jab tum jeisi ladki meri bahon mein ho, usski jism mere jism se bilkool sate huwe ho, usski khushbhoo mere badan ke khushbhoo se mil rahe ho, to keise main apne aap ko control karun? Issi liye to unn donon ne nahin kiya tumhare saath dance, keise karte, diwana banjate tumhare….. Ab mat tarpao, please, ek baar to chumne do yaar…kia kashish hai tujh mein …….” Yeh kehte huwe uss ne Anny ko phir kiss karna chaha, Anny ne munh bilkool band karli aur usske baahon se nikalne ki koshish kar rahi thi….. Magar Amaan jeise pagla gaya tha Anny ke gale ko chumne laga apne jism ke niche wala hissa Anny ke uss hisse par dabaate huwe, apne muhn ko Anny ke chaati tak chumte huwe legaya, par Anny apne haaton se usske chehre ko hatta rahi thi pure zor se……

Anny ussko Dhakka dene mein kaamyaab huwi aur kuch door jaakar khade hokar kaha, “Amaan kia hai yeh? Hum itne achi tarah se dance kar rahe the itne dinon tak, ab aakhir mein tum kyun eise behave kar rahe ho? Bus do din aur phir show ke liye jana hoga, please Bhagwaan ke liye eisa mat karo!” To Amaan bola, “Anny mujhse ab raha nahin jaa raha, main tumse pyar karne laga hoon! Bechain rehta hoon, iss waqt ke intezaar mein rehta hoon ke kab tum se milun aur ek saatn dance karun, iss lamhe ka pal pal intezaar karta hoon ke tumko apne baahon mein le sakun…. Tumhara aashik ban gaya hoon Anny!!”

To be continued………………
 
Dimaagh ka garam, Dil ka naram
365
69
28
Update 54

Uss taraf Abhay ke saath Seema baithi huwi thi uss romaanchak jagah par nadi ke kinare. Uss din ke baad har roz Seema Abhay ko apne saath jangal ke taraf to kabhi paahaadiyon ke paas lejaati gumaane ke liye. Abhay Seema se khub ghul mil gaya tha aur woh bhi usski intezaar karne laga har roz.

Ek din Seema nahin aa saki. To Abhay bahot nervous tha, ghussa kar raha tha. Kuch nahin khaa pee raha tha to budhe baba ne uss se poocha kia baat huwi, kyun weise behave kar raha hai…to Abhay ne sirf apne badan ko khujaate huwe kaha, “Anny anny” tab baba ne kaha, “Achah woh nahin aayi aaj issi liye naraaz ho, ab bechari phanss gayi hogi kissi kaam se kal ajaegi nah, tum khana khalo ab!!”
Magar Abhay uss raat ko soya nahin, din ka intezaar karta raha raat bhar, pata nahin kia kia soch raha tha raat bhar, usske dimaagh mein keise keise khayaalat ate the aur woh kia sochta tha kissi ko pata nahin…jiss dimaaghi haalat mein woh tha weise log kia sochte hein kiss ko pata?! Weh log to kuch kehte bhi nahin jo hum aam log samajh sakein. Khair keise bhi karke raat guzri bina soye. Abhay din hote hi akela paahaadiyon ke taraf chal pada bina bade baba ko kuch bataaye. Akele ghumte ghumte woh gaon ke karib aa ponhcha aur kuch logon ke saath mil baitha aur “Anny anny” karne laga. Ab kissi ko gaon mein pata to nahin tha ke woh Seema ko Anny” bulata hai to kaun usske baton ko samajhta! Shaam tak woh gaon mein hi raha aur udhar bade baba pareshaan ho gaye ussko wapas nahin paakar aur bechara budha baba bhi nikal pada gaon ke taraf uss sham ko.

Chalte waqt Seema mil gayi bade baba ko aur ussne sab maajera Seema ko bataya. Ab Seema bhi pareshaan kyun ke ussne Abhay ko to gaon mein nahin dekha. To Seema aur baba nikal pade logon se pooch taaj karne ko. Logon ne bataya ke woh unn logon ke saath hi tha magar kuch der pehle chala gaya kidhar gaya kissi ko pata nahin! Lo ab ek aur pareshaani ho gayi…ab kidhar dhudein ussko, “usski to dimaaghi haalat thik nahin kahan gaya hoga” baba ne kaha. Seema ne araam se baba se kaha, “Chalo wapas dargah ke paas shaayad woh wapas dusre raaste se chala gaya ho?” to donon wapas dargah ponchey magar Abhay wahan nahin tha aur suraj dhalne ko tha….. Ab donon bahot fikarmand hokar baith gaye ke ab kiya jaye!

Ab huwa yeh ke Abhay gaya tha pahaadiyon ke raaste se aur wapas araha tha jangal ke raaste se to ghum phir kar ek hi jagah par ajata tha. Yaney ke woh kho gaya ussko wapas darga jane ka raasta nahin mil raha tha aur jangal ke ek koney mein baith gaya kuch darrte huwe ek chote bachche ki tarah. Ek chotha sa guffa dikhaayi diya ussko aur uss guffe ke andar ghuss gaya raat hone ko aayi to.

Jab bilkool andhera ho gaya to Seema ro padi aur baba se kehne lagi, “Baba kahan hoga woh mujhko bechaini ho rahi hai, din bhar usske yaadon mein khoyi rehti hoon, usske baghair mera ek pal bhi nahin katta, main nahin reh pawunga usske baghair..kahin eisa na ho ke woh thik ho gaya aur ussko sab yaad agaya aur woh jahan se wapas aya tha laut gaya ho?!! Agar eisa huwa to mera kia hoga?!” Baba yeh sunkar chohonk gaya aur poocha, “Kia tu uss se pyar karne lagi hai?” To Seema ne kaha, “yeh bhi koyi poochne ki baat hai baba? Main to pehkle hi din se ussko chahti hoon. Main man hi man ussko apna sab kuch maanti hoon.”

Baba ne Seema se kaha, “Beti zara socho tum keise ek eise insaan se pyar kar sakti ho jo khud ko nahin pehchaanta? Pata nahin kaun hai kahan se aya hai… pata nahin woh tumko chahta hai ya nahin..pata nahin shadi shuda hai, kissi ka baap hai, kissi ka beta hai, kissi ka mehboob hai!! Pehle ussko hosh mein ane dete tab apna dil deti, eise thik nahin hai Seema beti, isse usski majboori ka faeda uthana kehte hein iss mein tumhaari matlabi hone ki jhalak dikhaayi deti hai, yane ke tum usski madad karo aur badle mein usska pyar chaho, thik nahin lagta eise ..…… apne dimaagh se eise khayaalon ko nikaal do aur insaaniyat ke tawr par usska dekh bhaal karo aur pyar ko bhulado…”

Seema baba ke baton ko sunkar rone lagi. Khub royi aur kaha, “thik hai baba, agar aap kehte ho to ussko apne pyar ke bare mein kuch nahin batawungi aap bhi kissi se kujch mat kehna, main bus usski mada karungi…. “ aur phir rone lagi….

Raat ko mashaal jalakar baba ne Seema ko Abhay ke khoj mein chalne ko kaaha. Gaon jaakar Seema ke pariwar ko bataya ke weh log Abhay ko dhundne jaa rahe hein to kuch aur log mashaal jala kar saath chal pade. Pahaadiyon mein ek ghante tak phukaarne aur dhudne ke baad jangal ke tafar sab log gaye aur dhudne lage… hanssi ki baat yeh hai ke sab ussko “Anny” ke naam se zor se se phukaar rahe the, Seema bhi. Jangal mein raat ko to khamoshi chahyi hoti hai to door se kissi ki chillane ki awaaz sunaayi deti hai. Magar Abhay to guffe ke andar tha to ussko kuch nahin sunaayi de raha tha aur upar se woh pata nahin kia gunguna raha tha dhire dhire….

Magar jab log Guffe ke karib aaye aur Seema ne “Anny” zor se chilaaya to Abhay ne sunna aur khushi ke mare tezi ke saath guffe se nikla aur dawte huwe “Annyyyyyyyy” phukaarte huwe Seema ke taraf gaya. Sab log hakbaka kar mashaal ko donon ke taraf karte huwe dekhne lage. Abhay ne bachche ki tarah jaakar Seema se lipat gaya. Budhe baba ne dekha to khushi ke ensoo usske enkhon se chalak gaye aur jaakar Abhay ka kaandha thapthapaaya.

Phir Seema ne baba se Abhay ko apne ghar lejane ki ijazat maangi aur Abhay ko apne ghar legayi uss raat ko. Raat bhar meethi meethi baatein ki Abhy ke saath… Magar Taahjub ki baat yeh thi ke Abhay ab bhi kuch nahin bol raha tha, “Anny anny” ke siwa! Seema ne bahot koshish ki magar Abhay kuch nahin bol raha tha. Anny ne seinkron sawaal kiye, uss se poocha usske bare mein , poocha ke kia woh kissi se pyar karta hai, kia woh shaadi shuda hai, kia usske bache hein, waghaira waghaira….Magar Abhay kuch nahin jawaab deta bus Seema ke enkhon ki gehraayi mein jhankta rehta usske sawaalon ka jawwab ke tawr par……

To be continued………………
 
Dimaagh ka garam, Dil ka naram
365
69
28
Update 55
Anny ne Amaan ko akele mein baat karne ke liye bulaya. Amaan khushi se gaya. Anny ne yeh kaha,

“Dekho Amaan tum ek achche dost ho, main tumhare bhaavnaawon ki kadar karti hoon magar main tumse pyar nahin kar sakti. Main Abhay ki hoon aur usske ilawa main kissi aur ki kabhi bhi nahin ho sakti. Abhay mera sab kuch hai. Jab kudrat ne mujhe kissi aur ka nahin hone diya to main bhaala keise kissi aur ki ho sakti hoon? Mere khayaal se tum mujhse pyar nahin karte magar yeh hawas hai, kyun ke tum mere jism se prabhaavit huwe aur jism ke takraane ke dawraan tum mere ziada kareeb huwe issi liye tumko laga ke tum mujhse pyar karte ho….Main tum ko ek dost ke heisiyat se iss dance ke liye apne kareeb ane diya, samajhti hoon ke eise dance ke dawraan hamare jism ke karib hone se tum par shaaayad kuch prabhaav pada hai magar meri koyi eisi niyat nahin main ne dance ke ilawa aur kuch bhi nahin socha rehearsal karte waqt. Agar tum ek dost ki tarah rehearsal jaari rakh sakte ho to thik hai varna main sab kuch cancel kar deti hoon!”

Amman ko Anny ki baton ko sunkar dhakka laga aur woh chala gaya yeh kehte huwe, “To phir yeh rehearsal main nahin karne wala kyunke jab bhi main tumko apne baahon mein lunga to tumse pyar karne ka mann karega aur main paagal hota jaawunga, yeh hawas hai ya kia hai mujhe pata nahin, bus tumko chumne ko, tumhare saath bistar par lethne ko mann karta hai aur tumhare saath waqt guzaarne ko jee chahta hai. Tum bahot ziada khubsurat aur sexy ho, aur main apne aap ko sambhaal nahin pata hoon jab tum mere kareeb hoti ho to, to behtar hai ke hum saath mein dance nah karein!”

To aakhir mein huwa yeh ke shows ke liye jo rehearsals hone wale the sab cancel ki gayi. Anny ne rote huwe yeh soochna diye Iqbal aur Vinay ko.

Phir maamool ke tawr par school mein tuitions jaari rahe aur Anny ne bhi classes liye dance sikhane ko naye students ko. Abhay ki maa Anny ko aksar apne yahan bulati thi aur Anny ka baap ussko Abhay ke maa ke saath kayi dinon tak rehne deta tha. Dhire dhire Anny Abhay ke ghar ka ek sadasya ban gayi. Woh apne aap ko uss ghar ki bahu maanti thi aur hamesha Abhay ke kamre mein usske bistar par guzaarti unn lamhon ko yaad karte aur ensoo bahaate huwe jo ussne uss kamre mein Abhay ke saath bitaye the. Anny ko bhi har pal har cheez mein Abhay dikhaayi deta tha aur woh aksar roti rehti thi sab Abhay ki mummy se kehkar aur donon awratein milkar ek dusre ko dil ka dukda suna suna kar rote rehte.

Kabhi kabhi Anny apne hone wale sasu ke saath usski beauty parlour mein guzaarti kyunke yeh Abhay ka sapna tha ke woh usske maa ke saath palour bhi sambaalein. Aur Anny seekh bhi rahi thi Abhay ke maa ke saath ke keise baal banaya jaye aur keise beautician ka kaam bhi kiya jaye bahot tez student thi aur Abhay ki maa ne uss se kaha,

“Ab mujhe ziada chinta nahin hai ke main nahin rahungi to iss palour ka kia hoga, tu sambhaal legi mujhe pata hai- dekh Annny tujh par bada bojh hai, iss beauty palour ka bhi aur udhar Abhay ke school ka bhi; donon tumko hi sambhaalna hai, aur woh Vinay aur Iqbal hai nah, unn donon ko kabhi bhi school se alag mat karna, unnko baad mein partner bhi bana lena agar hamara Abhay nahin mila to, unn do ladkon ne bahot kuch kiya uss school ke liye Abhay ki ghair mawjoodgi mein; donon ko unn ke behtareen kaam ka moafza milna hi chahiye.”

Anny ne jawaab diya,

“Mummy ji aap eise kyun batein kar rahe ho jeise ke aap kahin jaa rahe ho? Aap kuch fikar mat kijiye, hamara Abhay zaroor milega, mera dil kehta hai. Abhay bilkool sahi salaamat hai agar ussko kuch huwa hota to mujhko pata chal jata, mere dil ki dhadkanein band hojaati agar mere Abhay ko kuch huwa hota to. Main zinda hoon na mummy ji to mera Abhay bhi zinda hai, yeh nahin ho sakta ke mere dil ki dhadkanein chal rahi ho Abhy ki nahin… agar meri sansein chal rahi hai matlab ke mera Abhay ka bhi chal rahe hein….. taqdeer hamare pyar ka imtehaan le raha hai, main taqdeer ka saamna karne ke liye tayyaar hoon mummy ji, mujhe pura yakeen hai apne pyar par; woh mujhko dobara wapas zaroor milega aur usske baad hum khushi khushi hamesha ke liye jiwan saathi bankar raheinguey.”

Phir donon rone lage….. awratein hote hi eise hein!

Saleem bhai heyraan tha ke usske hote huwe aur tamaam forces ko lagakar bhi ussko Abhay ka pata kyun nahin chal raha tha. Woh kissi se kuch kehta to nahin tha magar lagaataar woh koshish mein rehta Abhay ki talaash ki. Bahot door door tak chala gaya tha woh ussko dhundne ke liye. Jab kissi bhi tarkeeb se kuch nahin huwa to aakhir mein TV aur dusre media walon ki madad li gayi. Abhay ki tasveer ke saath press aur TV par bhi announce kiya gaya Abhay ki laapata hone ki. Ek hafte tak press mein aur TV par announce kiya gaya magar phir bhi koyi jawaab nahin mila kahin se bhi! Sab heyraan the aur darr bhi rahe the ke kahin kuch bura na ho gaya ho….. Ab hum logon ko pata hai magar zara sochiye sach mein agar aap logon ke saath eisa ho aur koyi kareebi rishtedaar mahinon bhar ghar na lawte aur usski khabar bilkool na mile to kia haal hoga?? Eise hi haalat the Anny ki aur Abhay ke sabhi rishtedaaron ka. Iqbal aur Vinay to bahot darrey huwe the unn donon ko lagta tha ke Abhy marr gaaya hoga!!

Sirf Abhay ki maa sahi sochti thi. Kyunke ussko pata tha ke usske bête ke saath pehle eisa huwa tha, to woh yehi kehti rehti thi ke usska dimaaghi santoolan thik nahin hoga aur woh kahin bahot door nikal gaya hoga, aur khud kaun hai ussko pata nahin hoga to keise woh kissi ko apne bare mein batayega…woh bilkool sahi soch rahi thi aur huwa bhi yehi tha. Magar dusre log pata nahin kia kia soch rahe the. Jo gham aur uljhan se guzar rahe the sab woh bayaan karna mushkil hai.

Vinay aur Iqbal ko kabhi kabhi Saleem bhai apne ghar bulate the kuch tehkikaat karne ke liye. Uss dawraan aap logon ko yaad hoga ke Saleem bhai ki ek beti hai, sakeenah jiss ko Iqbal dekhne ki koshish kar raha jab pehli baar woh wahan gaya tha Abhay ke saath- (update 5) To dhire dhire Iqbal uss ladki ka aashik hota gayaa. Ab inn donon ke bare mein likhun to aur ek kahani ban jaegi, magar bata deta hoon ke kuch jhijhakte huwe ussne dhire dhire kadam badhaya uss ladki ke taraf halaan ke Vinay ussko dantta rehta tha. Jab bhi weh donon Saleem bhai ke yahan jate the to Iqbal ki nazar Sakeenah ko dhundte rehte. Aur ahiste ahiste Sakeena ko bhi pata chal gaya ke Iqbal usska aashik ho gaya hai to woh bhi usska intezaar karti rehti thi.

Aur ek din Sakeena ne apne abu se kaha, “Abu woh donon ladke nahin aaye kayi dinon se, aap logon ka woh talaash puri ho gayi kia, woh Abhay mil gayaa?” Saleem bhai ne kahaa, “Nahin beti bechara pata nahin kahan kho gaya hai, woh pagla gaya hoga, ussko ek sadma pehle lag chukka tha dusri baar ishk ke chakkar mein par gaya aur taqdeer ka khel dekho ke iss baar bhi kuch weisa hi huwa uss Abhay ke saath bechara pata nahin kahan bhatak raha hoga!”

Magar Saleem bhai to purana khiladi tha ussko sab dikh rahe the ke jab jab Iqbal ata hai to Sakeena dawd kar ussko dekhne ati hai aur chup chup ka weh donon ek dusre se muskate hein aur donon ke nazrein ek dusre par rehte hein hamesha. Saleem bhai ko sab pata tha.

Bus ek din Vinay aur Iqbal wahan gaye, aur saleem bhai ke saath lounge mein baith kar Abhay ke bare mein batein kar rahe the to Sakeena, beech ke ek darwaze se lagi khadi, Iqbal ke taraf meethi meethi nazron se dekh rahi thi aur Iqbal bhi Saleem bhai ke baton par dhyaan nahin de paa raha tha, to Saleem bai ne muskurate huwe Iqbal se kaha, “Miyan, agar Sakeena se kuch kehna hai to jawo uss se baat karlo, baat karne ke baad mere baaton par bhi dyaan dena zara!!” Iqbal se ziada Vinay ko shock laga Saleem bhai ki baat ko sunkar, aur muskurate huwe ussne Iqbal ko dhakka dete huwe Sakeena ke paas jane ko kaha, jabke Sakeena sab sunkar laal chehra liye wahan se dawdte huwe chaatt ke taraf chali gayi jahan uss se milne ko Iqbal gaya……. Aur unn donon ke pyar ka parwaan chada aur Saleem bhai ne donon ka nikah karwane ke liye tayaar ho gaya. Magar sab logon ne decide kiya ke nikah Abhay ke wapas milne par hi hoga! Tab tak do naye aashik, Iqbal aur Sakeena milne julne lage aur ek dusre ke kareeb hote gaye……


To be continued………………….
 
Dimaagh ka garam, Dil ka naram
365
69
28
Update 56 The dream

Yaaro iss update ka ek title rakh diya main ne yahan kyun ke “The dream” assal mein zindagi ki ek eisi hakikat hai jo hum sabhon ki zindagi mein kabhi na kabhi to ata hi hai. Magar kia hum sab uss hakikat ko ghaur se kabhi baith kar kabhi sochte aur gehraayi se uss par vichaar karte hein? Chalo dekhte hein “The dream” ‘Ek khwab’ ya “who sapna” kuch bhi kehlo……. to dekhte hein iss sapne ka iss kahani se kia taalukaat hai.

Ananya ek raat ko bilkool chillaakar zoron se rote huwe uthi Abhay ke bistar par pasine mein tarr; Abhay ki maa sunkar dawdte huwe aayi ussko dekhne ke kia maamla hai.

Jeise ke main ne pehle keh diya hjai ke Ananya ab ziada samaye Abhay ke ghar par rehtii hai apne hone wali ya saas hi keh lijiye. To raat ko dinner ke baad sone gayi har raat ki tarah Abhay ki yaadon mein khoye. Aur jab Abhay ki mummy ponhchi uss ko dekhne to Anny apne aap ko sambhaal nahin paa rahi thi itni ro rahi thi ke lagta tha usske dil ki dhadkan band ho jaegi. Mummy ji poochti rahi ke kia huwa magar Anny ke gale se awaaz tak nahin nikal rahi thi, aur jab Mummy ji ne ussko gale se lagaya to mehsoos kiya kitne zoron se Anny ke seene mein usska dil dhadak rahaa hai, jeise ussko ek dil ka dawda padne wala ho…..

Kayi baar poochne ke baad Anny ne sisakte huwe kaha, “Maa ji….main….main…. main ne dekha aur mehsoos bhi kiya…..ke……. ke…..mummy ji main nahin bol sakti…” itna kehkar Anny phir bahot zoron se rone lagi apne chaati ko peethte huwe….. ussko uss tarah se rote huwe dekh kar Abhay ki maa bhi ro pari andaza lagate huwe ke Anny kia kehna chahti hai aur uss se kaha, “Mat ro meri bachchi, eisa kuch nahin hoga, Bhagwaan itna kathor, nirday, nahin ho sakta….”

Tab Anny ne kaha, “Maa woh mere saath the, bahot saare log ghar mein jamah the, ussko wahan letaya gaya tha main usske gaal par apne haath ko pherte huwe ussko mehsoos kar rahi thi….aur bahot ro rahi thi, maa Abhay ko kuch huwa hoga maa…main keise pata lagawun maa…….” Phir Anny mummy ji ko zor se gale lagakar ek chothi bachchi ki tarah rone lagi…… Dekhha nahin jaa raha tha Anny ka rona, lagta tha ek chothi si masoom bachchi kissi khilone ke khone ya tootne par ro raha ho aur mummy ji ke samamjh mein nahin araha tha keise ussko sambhaalein…… To Anny ki zubaani na sahi meri zubaani uss sapne ko dekhte hein aur sunte hein……

Abhay ki laash padi huwi hai lounge mein aur bahot saare log jama huwe hein ghar mein Abhay ki maa bilag bilag kar ro rahi hai aur Anny uss laash ke saamne, sar ke taraf baithi hai ek safed libaas mein Abhay ke chehre ko dekhte huwe aur jhar jhar ensoowon ke dhaar mein kehti hai,

“Kyun chale gaye tum Abhi, mujhko akeli chorr gaye yaar!! Main ne kitna dhunda tumko meri jaan, ab main kisska intezaar karungi? Kisske lautne ki raah dekhungi? Mere Abhi tum ne kyun eisi sazaa di hai mujhko? Dekho main tumhare yahan rehti hoon, papa maan gaye Abhi, hum donon ab ek ho sakte the to tum kyun chale gaye mujhko akeli chorr kar Abhi, lawt awo Abhi please lawt aawo….. dekho main ek baar vidwa ban chuki hoon dobara mat vidwa banawo mujhko Abhi lawt awo please Abhi lawt awo!!” Yeh kehkar Anny chaaron taraf logon ke bhhirr mein dekhne lagi aur sab log usski tarap aur baton ko sunkar ro rahe the, to Anny baawli jeisi idhar udhar dekhte huwe apne sar ko upar uthaakar Bhagwaan se kehti hai,

“Mere Abhay ko wapas lawta do upar wale, tum to sabka paalanhaar ho, tum to kuch bhi kar sakte ho, ek chamatkaar hi kardo Bhagwan, kuch bhi karo mere Abhay ko wapas lawta do, tumhare liye to yeh maamooli si baat hogi, mujhe bheek mein Abhi wapas dedo…. Dekho ek se shaadi ki to woh chale gaye aur mujhko kaha gaya ke main ne ussko kha liya ab Abhay chala gaya to log to yehi kahaeinguiey na ke main sach mein dayan hoon… sab ke munh band karwado ey Bhagwan mere Abhi ko phir se jiwit kardo please…. Main aur kisske aaguey haath jodun tumhare ilawa koyi bhi to yeh nahin kar sakta….mujhpar taras khao please mere Abhay ko lawta do……”

Anny ne yehi sapna dekha aur eisa mehsoos huwa ke sab hakikat hai aur beet rahi hai uss par. Uss sapne ka har ek lamha, har ensoo, har ek tarap Anny mein zinda the aur jaagne ke baad bhi ussko wohi feelings ho rahe the aur usska dil jeise uss waqt dhadak raha tha, jaagne ke baad bhi weise hi dhadak raha tha aur usske ensoo sapne mein se jaagne par jaari the….. Anny bilkool bekaabu thi aur apne aap ko nahin sambhaal paa rahi thi……

Ab sochna yeh hai dosto, kia hum kabhi uss lamhe ko sochte hein ke ek din hum laash banne ek chataayi par lete honge aur hamare ghar wale, pyar karne wale, hamare ird gird maatam mana rahe honge?? Ya kia kabhi hum yeh gehraayi se sochte hein ke jissko hum sab se ziada chahte hein woh ek din laash bankar hamare enkhon ke saamne pade honguey aur hum kuch nahin kar payeingeuy? Woh waqt kitna dardnaak hota hoga jab koyi eise haalat ka saamna karta hoga?

Ab hum khud ke bare mein sochein aur jo humse be inteha muhabat karte hein uss ke bare mein sochein jeise Anny par beeta weise usski jagah jaaakar sochein…. Ab dyaan iss baat par dein ke woh jo hamare sab se nazdeek hote hein, hamare har ek jism ke ang ko jaanta/jaanti hai, hamare muskurahat ko pehchaanta/pehchaanti hai, hamare awaaz se waakif hai, hamare chehre ko passand karti/karta hai….. hamare balon ko chahta/chahti hai, hamare ungliyon se ko Jakarta/jakarti rehti/rehta ho…… ek eise shakhs ke saamne hamara laash pada ho to usspar kia beetta hai kia hum kabhi eisa sochte hein?

Kia humne kabhi eisa socha ke ek din hamara laash pada hogaa aur hamare chahne wale ekatha honge hamare chaaron taraf aur hum pade honge zameen par bina sannss liye, bina hilte dolte huwe….tab koyi jo humse bahot pyar karti/karta ho woh hamare gaal ko chuwe, hamare baalon ko chuwe, hum se baat kare rote huwe par hum kuch nahin kar paayein usske liye….. kia manzar hoga woh yaaro!!....... baad mein humko uthakar ya to dafnaya jaega kissi zameen ke andar ya jalaya jaega uss shareer ko jiss par kissi ko kabhi naaz tha, jiss jism se koyi behad pyar karta tha, jinn ungliyon ko koyi hamesha apne naazuk ungliyon mein jakra karta tha, jinn baalon ko koyi hamesha passand karta/karti thi…sab bhasm ho jaega ek din…kia hum uss waqt ko gehraayi se kabhi sochte bhi hein?? Hum kabhi ek ek sanss ke liye mohtaaj ho jayeinguey kia koyi kabhi sochta hai? Zara sochein, ek lambi saanss lein aur ussko rok kar sochein ke dusri sanss lene se pehle hum marr jayein uss dusre sanss ko lene ke liye tarpe magar nahin le paayein??! Kia haal hoga uss waqt dosto??!! Aur kia haal hoga uss waqt unn par jo hamare behad karib ho, jo humse beinteha pyar karta/karti ho, keise guzregi unn par hamare laash ko apne enkhon ke saamne dekhte huwe?

Eise haalat hum sab ko sochne par majboor karte hein….. hum musaafir hai iss dharti par, kissi ko mukamal jagah nahin milti yahan, hum sab ko jana hai, to yaaro sab se pyar se milo, sab pyar karo, khushi se jiyo jab tak jina hai aur kissi ek ke dil mein kuch eisa kar jawo ke yaadgaar ban jawo uss ek dil ke liye aur eise jiyo ke jaaane ke waqt sab hum par naaz karein ke han humne jaane se pehle kuch to achchah kiya, kissi ko to pyar diya, kissi ka dil to khush hai, koyi to nek kaam kiya….

Yaaro hamara pyari si Anny uss sapne se bahot darr gayi magar Abhay ki maa ne ussko sambhaala aur ghante bhar rone ke baad pyari Anny ki enkh lag gayi Abhay ki maa ke baahon mein aur mummy ji apne enkhon ko ponchte huwe, Anny ke chehre par bahot pyar se apne haath ko pherte huwe dhire se usske maathe ko chumte huwe kaha, “Meri bachchi, meri beti hai tu, Bhagwaan ne ek beta diya tha ab ek beti bhi dediya mujhko main to dhanya ho gayi, tu fikar matt kar meri bachchi Abhay ko kuch nahin hoga, woh zaroor wapas ayega aur sahi salaamat ayega yeh ek maa ka dil keh raha hai maa ka dil kabhi dhoka nahin kha sakta, agar Abhay ko kuch huwa hota to maa ke dil ko pata zaroor chal jata…… mera baccha jahan bhi hai sahi salaamat hai aur bahot jald wapas ghar ayega aur tujhko tera pyar wapas karega dekh lena!!”

To be continued………………..
 
Dimaagh ka garam, Dil ka naram
365
69
28
Update 57

Seema ki laakh koshishon ke bawajood Jab Abhay ne kuch nahin bola to Seema niraash ho gayi aur apne ghar walon se poocha ke keise pata lagaya jaye usske bare mein. Seema chahti thi ke Abhay kuch bole, apna naam bataye, apne bare mein batayein aur uss se batein kare. Seema mann hi mann to bahot pyar karne lagi thi Abhay se magar budhe baba ke kahe huwe baton ko sochkar apne dil ko samjha rahi thi Abhay usska nahin hai phir bhi Seema ne socha ke mann ke andar apne pyar ko chupa to sakti hai.

Jiss raat ko gufe mein se Abhay mila tha aur raat bhar Abhay Seema ke yahan raha tha, uss subha ko Seema kaam par nahin gayi Abhay ke saath din bitane ko soch rakhi thi. To subha chae waghaira peene ke baad Seema Abhay ko apne saath legayi ghumne ke liye. Ek bus se donon uss taraf ke sheher ko gaye. Sheher pohonch kar Seema ne Abhay ke haath pakre huwe chalna shuru kiya. Log mudh mudh kar un donon ko dekh rahe the. Dekhne mein Abhay ek pagal khane se bhaga huwa mariz dikhta tha, lambe baal, lambe kale dadhi, dekhta eise tha jeise bowkla gaya ho….. Ab sheher mein charon taraf Abhay eise dekh raha tha jeise kissi cheez ki talaash kar raha ho….. kia ussko kuch yaad araha tha? Kia ussko kuch jana pehchana sa lag raha tha?? ….Seema usska haath pakre ussko khinchti chal rahi thi magar woh baar baar piche mudhkar kuch na kuch dekhta rehta tha upar se log ghurr kar donon ko dekhte jaa rahe the to Seema ko bilkool achcha nahin lag raha tha…. Phir ek jagah ruk kar Seema ne uss se kaha, “Chalo tumhare baal katwate hein aur tumhare dhaadi nikalwaate hein tab dekhun to keise lagte ho, thik hai?” Magar Abhay bachche ki tarah inkaar kar raha tha; phir bhi Seema ne zid ki aur ussko wahan ek barber ke yahan legayi.

Ghante bhar baith kar intezaar karne ke baad Abhay bina dhadi ke aur baal ki achi si cut ke baad Seema ke saamne aaya! Seema ussko dekh kar dekhti reh gayi aur kaha, “Kitne handsome ho tum! Bahot saare ladkiyan marte honge tum par nah? Tumko kissi ek ladki ka naam yaad bhi hai Anny ke siwa?” Abhay ne nah mein sar hilaya! Tab Seema ne kaha, “are tumko samajh mein aya ke main ne kia poocha?” Abhay ne han mein sar hilaya. Tab Seema ne kaha, “To har baat jab main tumse karti hoon to tumko samajh mein ata hai” tab Abhay ne apne kaandhon ko upar uthate huwe jawaab diya jisska matlab tha ke pata nahin…. Phir Seema ne Abhay ko ek ache dukaan mein kapde usske size ke try karwaaye aur teen sets liya jeans aur tshirs aur shirts Abhay ke liye. Ab kyun ke usska pehna huwa kapda ganda tha to shop mein hi ek naye jean aur Tshirt mein dress kar diya Seema ne Abhay ko, do naye joote bhi kharide Seema ne Abhy ke liye, aur baahar nikle to Abhay asli Abhay dikh raha tha uss waqt.

Seema jee bhar ke Abhay ko dekhti rahi aur mann hi mann kaha, “kyun kar tumse pyar na hoga mujhe? Itne handsome ho, achche ho, mera saathi ho, humsafar ban sakte ho, kyun pyar na karun main tumko?” Apne mann ko sambhaalna mushkil hota jaa raha tha Seema se phir bhi koshish mein lagi huwi thi hriday se Abhay ko nikaalne ko magar keise kuch samajh mein nahin araha tha Seema ko.

Khair, usske baad Seema ne Abhay ko khub ghumaya uss chote se sheher mein jo uss gaon ke bus thodi si doorie par tha. Aur aakhir mein ek chota sa hotel mein gaye khana khane ke liye. Abhay uss naye joote se thik se chal nahin paa raha tha, joota ussko kaat raha tha kyun ke kayi mahinon ke baad aaj joota pehna tha ussne… hotel mein khana khane ke baad jab Seema ne pine ke liye coke mangwaye to Abhay bola, “Pepsi peeta hoon main” Seema chonhki aur khushi ke mare uth khadi huwi yeh kahte huwe Abhay ke donon haathon ko apne haathon mein lekar, “Tum bole, Anny ke ilawa tum ne aur bhi baat kiya hein!! Pepsi peete ho? Tumko yaad hai ke tum pepsi peete ho, bolo bolo kahan last baar pepsi piya tha tumne bolo yaar bolo!!” jhoomte huwe Seema ke enkhon se ensoo nikal pade aur poochti rahi magar Abhay phir ek baar khaamosh hogaya!! Bahot koshish ki Seema ne, poochte poochte ro padi Abhay se usske bare mein magar Abhay ek buth bana tha usske saamne……

Wahan se ek chota sa garden mein jaakar baithe donon ek bench par aur Seema ne rote huwe Abhay se kaha, “Mujhpar kia beet rahi hai samajhte ho tum, mujhko kitni khushi hogi ke tum apne bare mein mujhko batawo, mujhe kitni khushi hogi ke tum aur ziada bolo, apne bare mein batawo, kia karun main keise tumse baat karwaun main?” Ussko rote huwe dekh kar Abhay bola bus itna “Anny par bhi bahot kuch beeta hai bechaari Anny” Seema rote rote hanss padi Abhay ko bolte huwe sunkar, aur Abhay ke gaalon ko chumte huwe kaha, “Tum phir bole yaar, kaun hai yeh Anny? Kia beeti hai usspar? Tumhara kia lagta hai Anny mujhse khul kar batawo nah, bolo please bolo Anny ke bare mein hi sahi kuch to batawo mujhe…bolo yaar bolo!”

Kamaal ki baat hai, Abhay apna hosh o hawaas kho baitha tha phir bhi ussko itna yaad aya ke usske Anny par bahot kuch beeta hai magar ussko kia pata ke jitna ussko pata hai uss se kayi ziada jheli hai usske Anny ne! ussko kia pata ke usski Anny ko kia kia kaha gaya aur keise usski Anny vidwa bhi ban gayi hai… yeh sab pata hota tab kia hota Abhay ko kia pata!! Jab laakh poochne par Abhay kuch nahin bola uss se ziada to roti huwi Seema ne Abhay ko wapas ghar lawtne ko kaha. Donon chal rahe the to Seema ne poocha, “Achchah apne ghar ka pata batawo mujhe? Address bolo?” Abhay ne socha phir kaha, “Dance school” Seema phir khush huwi aur sochne lagi ke dhire dhire shaayad Abhay ki yaaddaash wapas arahe hein, magar kyun ussne dance school kaha? Yeh to koyi pata ya address nahin huwi….

Ab kissko pata ke Abhay ke dimaagh ke kamre ke andar kitna adhera tha aur kahan thodi bahot roshni aarahe the jo ussko kuch kuch yaad araha tha ya memory ke kissi kone se zubaan par purani save ki gayi lavz bus zubaan par aajaate the kissko kia pata? Yeh to khud Abhay ko bhi nahin pata!!

Ghar wapas lawtte waqt Seema loo gayi aur Abhay ko ek bus stop ke paas wait karne ko kaha- toilet bus stop ke piche tha; jab Abhay wait kar raha tha to ek bus ruka thik jahan woh khada tha to uss bus mein se ek ladki ne apna haath wave karte huwe Abhay ko kaha, “Hi Abhay main aap ki fan hoon, kab agla show karoge?” Abhay uss ladki ko wave karne laga aur soch mein doobe huwe ussko ghurr raha tha…. Tab tak Seema loo se wapas arahi thi aur bus jaane lagi aur uss ladki ne jaate huwe bus mein se Abhay ko wave karte huwe zor se kaha, “Abhay we love you Abhi apna show continue karna Abhi….” Seema ne uss ‘Abhi” naam ko achchi tarah se suna aur dekha ke bus ke andar se who ladki Abhay ko uss naam se bula rahi thi to Seema thoda heyraan aur kuch khush hote huwe Abhay ke kareeb aayi aur dekha ke Abhay soch mein doobe magar wave karta jaa raha tha uss jaate huwe bus ke taraf…. To Seema ne usske kaan mein zor se kaha, “Abhiiiiiiiiiiiiiiiiiii” Tab Abhay chohonk gaya aur poocha, “Tumko keise pata ke main Abhi hoon?” Seema khushi se jhoom uthi aur kaha, “To kia tumhara naam sach mein Abhi hai? Tum Abhi ho?” Tab Abhay phir se khaaamosh ho gaya aur apne kaandon ko upar karte huwe ishara kiya ke pata nahin!!!!!

To be continued………………
 
Dimaagh ka garam, Dil ka naram
365
69
28
Update 58

Seema bus mein lautte waqt sochti rahi ke woh ladki kaun thi jiss ne Abhi ko phukaara, woh keise Abhi ko jaanti thi, kahan rehti hai, keise iss taraf se guzar rahi thi, Seema soch mein padi bus mein safar kar rahi thi aur Abhay diwane ki tarah apne sar ko bus ke window side se lagaaye gum khoya tha kahin khayaaalon mein.

Ab Abhay ka mental problem yeh tha ke sadme se eisa hota hai ke dimaagh ke kissi hisse par dabaav padne ki vajaah se kissi ek fuse ka udh jana hota hai. Isse ek epileptic failure bhi kehte hein. Eise haalaat mein woh dimaagh ka fuse apne aap repair ho jata hai magar waqt ke saath, kuch waqt lagta hai ussko repair hone mein. Yaadaash kho jate hein aur kuch bhi yaad nahin rehta, aadmi chote bachon jeisa vyohaar karne lagte hein aur ek lamhe pehle guzre wakia ko bhool jate hein. Woh kissi ko pehchaante to nahin magar pehchaanne ki dhong karte hein aur kabhi chehre se to pehchaante hein magar naam nahin yaad kar paate ke woh pehchaani chehre wala kaun hai…. Ab agar gharwale ya doston ke beech rehte to yaadaash ka wapas ana asaan hota. Phir bhi waqt lagta hi hai, dhire dhire sab hota hai. Jiss ladki ne Abhay ko wave kiya Abhay ko bilkool pata nahin ke woh kaun thi aur kyun ussko weisa kaha, Abhay ko uss waqt laga ke ussko bhi wave karna chahiye so uss ne bhi wave kiya, magar ussko bilkool kuch bhi yaad nahin tha aur Abhay bhool bhi gaya ke ladki ne kaha woh usski fan hai aur ussko show continue karna chahiye yeh sab baat Abhay bhool gaya magar jiss waqt uss ladki ne show aur fan lavz istemaal kiye to Abhay ko thik uss waqt weh lavz ussko jana pehchana laga phir ussne ussko ladki ko respond kiya. Sab hone ke baad woh phir apne dunya mein kho gaya. Ab iss haalat mein weise sadme mein ghire log kia sochte hein aur kiss dunya mein rehte hein kiss ko pata?!

Taqdeer ka khel dekhiye bus kuch din pehle agar Seema ne ussko uss sheher mein legaya hota to papers aur TV mein charcha huwe the Abhay ka to koyi na koyi to pehchaanta, shayad dhadhi banane wala naayi hi ya kissi paper mein usski tasveer dikh jata Seema ko uss waqt…. Magar unn dinon jab akhbaar mein usska photo aya tha tab to Abhay ka chehra jana pehchana bhi nahin tha…..

Ab Seema ne yeh to nahin suna ke uss ladki ne usss se yeh kaha ke woh usski fan hai, varna Seema andaza to laga sakti thi ke Abhay koyi star, kalakar, actor vaghaira hai, magar Seema jab loo se nikli to bus jaa rahi thi aur ladki ko ‘Abhi’ phukaarte huwe suna bus to Seema ko bhi ziada pata nahin chala uss waqt.

Dargah par lawtne ke baad Budhe baba Abhay ke naye roop dekhkar khush huwe aur Seema ko duwaein di. Seema ne bataya ke Abhay ka naam Abhi hai. Seema ne sabhi sheher mein guzre wakeaat sunaaye baba ko. Aur baba bhi chintit ho gaya yeh sochte huwe ke kaun hoga yeh Abhay. Par baba ne Seema se kaha,

“Magar beti mere khayaal se shaayad isska koyi accident hone se isske dimaagh par chot ponhcha hai, kyun ke yeh jab yahan aya tha to isske kamiz par khoon lage huwe the aur choth lagi thi isske chehre par jo sukh bhi chuke the, dekho isske honth ke upar wale hisse par ek choth ka nishaan hai, sar par bhi hai, pata nahin car accident huwa ya kissi gadi se takraya ya kuch bhi huwa hoga… ab rab jane kia maajra hai …..”

Seema ne Abhay ke naye kharide huwe kapde baba ko diye rakhne ke liye aur phir se Abhay ko apne saath le gayi. Abhay se hazaar batein karne ke baad woh ek baat ka jawaab deta tha ya achanak beech beech mein kuch bol deta tha. Yunhi ek baar Seema baat cheet ke dawraan kehrahi thi, “Abhi tumko uss ladki ne Abhi kyun bulaya agar tum Abhi nahin ho to? Matlab saaf hai ke tumhara naam Abhi hai” Uss waqt achanak Abhay ne kaha, “Abhay naam hai mera Abhi to eise hi bulate hein sab mujhko!” Phir Seema ke dil ke dhadkan tez huwi aur pyar bhare nazron se bilkool heyraan Abhay ke enkhon mein dekhne lagi iss intezaar mein ko woh kuch ziada kahe magar bahot udaas ho jaati jab turant baad Abhay phir apne aap mein khud ko band kar leta.

Seema ke laakh poocne par bhi Abhay kuch nahin bola usske baad. Seema ne poocha, “Abhay kaun log tumko Abhi bulate hein Abhay ke bajaye? Kaun hein woh log? Yaad karo Abhay bolo mujhe, abhi abhi tumne baat kiya weise hi kuch aur kaho nah please Abhay bolo tum bolte ho to bahot achah lagta hai sunne ko, kuch to bolo nah!”

Magar Abhay keise bolta ussko khud nahin pata tha ke kyun aur keise woh jumla usske munh se nikla, aur khud hi bhool gaya ke ussne kia kaha tha, keise aur ziada bolta woh?

Phir sham ko dargah lawtne ke baad jab Seema ne baba ko baat batayi to baba ne kaha, “Lagta hai issko kissi hospital mein daakhil karna chahiye isske ilaaj ke liye tab isska dimaagh wapas kaam karega! Magar Seema raazi nahin thi ke hospital ki zaroorat hai Abhi ko. Ussne kaha, ke Abhay ko pyar ki zaroorat hai, ussko hamdardi aur ek saathi ki zaroorat hai jo ussko pyar kare, tab woh thik hoga, hospital lejaya gaya to shaayad dimaaghi hospital mein shift karein ussko aur Seema nahin chahti thi Abhay ko pagal khane mein lejaya jaye! Ussko yakeen thi ke uss ke saath rehkar Abhay thik ho sakta hai.

Magar jab raat ko Seema ko apne ghar lawtne ka waqt aya to udaas ho gayi aur baba se phir Abhay ko apne saath lejane ki farmaayish ki. To baba ne poocha, “Tere ghar walon ko eitraaz to nahin ke tum issko apne ghar lejawo?” Seema ne kaha ke nahin kissi ko koyi bhi eitraaz nahin to baba ne ijazat dedi ussko apne saath lejane ko phir ek baar aur Seema khushi khushi Abhay ko apne ghar legayi aur Abhay bhi khush tha usske saath jane ke liye.

Seema ke ghar mein sirf usske mata pita aur ek chota bhai tha. Weh log TV dekh rahe the aur Seema ne Abhay ko wahin baithne ko kaha. Abhay dusre logon ke beech rehna passand nahin karta tha, sirf Seema ke paas hi rehna passand karta tha. Seema ke chote bhai ne Abhay ko cherrte huwe kaha, “WAH WAH EKDUM HERO DIKHTE HO AAJ TO, KIA STYLE HAI YAAR! Kiss film ka actor ho yaar” To Abhay ne achanak uss ko jawaab diya, “Main actor nahin dancer hoon, par acting dance ke saath karta hoon”…… yeh sunkar Seema ke enkh bhar aaye aur jaldi se Abhay ke paas baithi aur poochne lagi, “Han han bolo tum dancer ho Abhay, kahan? Kahan dance karte ho kaun sa dance karte ho humko dance karke batawo, utho utho dance karo hum dekheinguey Abhay……..”

To be continued………………
 
Dimaagh ka garam, Dil ka naram
365
69
28
Update 59

Kiss film ka actor ho yaar” To Abhay ne achanak uss ko jawaab diya, “Main actor nahin dancer hoon, par acting dance ke saath karta hoon”…… yeh sunkar Seema ke enkh bhar aaye aur jaldi se Abhay ke paas baithi aur poochne lagi, “Han han bolo tum dancer ho Abhay, kahan? Kahan dance karte ho kaun sa dance karte ho humko dance karke batawo, utho utho dance karo hum dekheinguey Abhay……..”

Magar Abhay phir khamosh hogaya hamesha ki tarah kyunke ussko khud nahin pata ke kyun aur keise ussne weh lavz kahe! Jab ussko khud kuch pata nahin to baaki ke sawaalon ka jawaab kahan se deta woh bechara! Seema taras rahi thi ke Abhay ko ziada kuch yaad aaye aur woh apne baare mein bataye magar majboor aur laachaar Seema ke samajh mein nahin arahi thi ke woh kia karein! Soch rahi the ke phir ek din ki chuthi lekar dusre din phir Abhay ko uss sheher ghumaane ko lejaye to shaayad koyi aur mil jaye jo Abhay ko jaanta ho to kuch pata chal sakta tha, maagar kaam se ziada chuthi lena namumkin tha usske liye, magar bimaari ka bahana kar sakti thi phir bhi apne manager se darti thi kyunke woh khaduss tha…

To Seema ka bhai dance karne ke liye khada huwa Abhay ki help karne ke liye, aur kuch thumke lagaaye ussne ek dhund par. Abhay dekh raha tha ussko khayaalon mein doobe huwe aur woh ladka naachte naachte sofe par baith gaya. Jab woh baith gaya to Abhay ne kaha, “tumhare steps clean nahin hein, sudhaarna chahiye, bahot ghalat the sab steps dhund ke hisaab se!” To Seema ke bhai ne bus itna kehte huwe baat ko khatam kardi, “Achah ustaad main tuition le lunga tumse baad mein!” Aur woh chala gaya apne kamre mein magar Seema bahot heyran Abhay ke paas baithi rahi uss se sawaal par sawaal karte huwe magar Abhay ko phir ussi khaamoshi ne gher liya tha.

To Seema ne socha aur samjha ke sab kuch apne aap hone dena chahiye, bus mokhtaliff situation ko Abhay ke saamne rakhna chahiye aur woh apne aap hi bol padega jab jab bolna hoga ussko…usske dimaagh mein quaid baatein kissi kone mein mehfooz lagte hein magar usska upyog nahin ho paa raha hai Abhay se sahi tarike se, dhire dhire shaayad sab baatein apne jagah wapas ayeinguey….. Eisa sochte huwe Seema ko tassalli huwi aur Abhay ko ek bistar par sone ke liye le gayi…..

Magar jo Seema ne bilkool socha nahin tha weisa kuch huwa usske baad…. Jiss waqt Seema Abhay ko bistar par letate huwe usske sar ke niche ek takiye ko daal rahi thi, usski chaati Abhay ke chehre se laga aur Abhay ne achaanak Seema ko apne bahon mein jakar liya! Seema bilkool nahin darri magar soch mein par gayi ke Abhay ne weisa kyun kiya? Aur pyar to Seema bahot karne lagi thi Abhay ko to ussne bhi dhire se apne bahon ko Abhay ke sar ke neeche daalte huwe halke se ussko apne seene se dabaate huwe gale se lagaya aur bahot pyar se Abhay se poocha, “Kyun? Keisa lag raha hai eise mujhe bahon ke kaske pakar ke? Achcha lagta hai tumko? Hmm?” Abhay bina jawaab diye apne chehre ko Seema ke chaati par zor se dabaate huwe apne honton se usski narm chaati ke uss hisse par chumban de raha tha jahan Seema ke dress ki button lagi huwi thi aur Abhay ke uss movements se do buttons khul gaye aur Abhay ke honth Seema ke seene ke narm mulaayam hisson par pherne laga…..

Seema jawaan ladki thi jissne kabhi kissi mard ko chuwa tak nahin tha aur jisske mann mein pyar ka ladoo abhi abhi phuta tha to eise haalaat mein usski jism mein ek leher si dawdi aur usko achchah lagne laga jab Abhay ne weise kiya to aur woh siskaariyon ke saath apne gardan ko upar uthaaye huwe Abhay ke uss harkat ko aur badhaawaa dene lagi ussko ziada zor se apne jism se dabaate huwe……

Usski chaati ko chumte huwe Abhay ne ahiste se, dheemi awaaz mein ek tarap ke saath kaha, “Anny, I love you, I love you Anny……” Aur Abhay ki saanss tezi se chal rahe the uss waqt kuch haamp raha tha aur usske dil ki tez dhadkan Seema ko sunaayi de raha tha, aur Seema ne jab suna ke woh Anny ka naam lekar ussko pyar kar raha hai to Seema ne socha ke woh bilkool thik nahin agar Abhay ussko Anny samajh kar pyar kare to. Anny ne ussko gale lagaaye huwe sochne par majboor huwa aur mann hi mann khud se kaha, “Agar main iss mawke ka faida uthaakar iss se pyar karun aur chaahun to issko apna bhi banalun, magar tab yeh mera swaarth hoga. Issko mawke ka faeda uthana kehte hein…. Abhi ko pata nahin ke iss waqt woh meri baahon mein hai, woh samajhta hai ke main usska pyar Anny hoon…. Yeh dhoka hoga agar main ne issko aur kareeb ane diya to…. Weise mera mann to kar raha hai ke issko sab woh kuch karne doon jo yeh chahta hai, magar usske baad issko zabardasti mujhse pyar nibhaana hoga, chahun to eise mawke ka faeda utha sakti hoon, isske bachche ki maa bhi ban sakti hoon…tab to yeh kabhi mujhe chorr kar nahin jaa sakega…… magar main kia itni giri huwi hoon ke kissi ka pyar eise haalaat aur majboori mein chiin loon? Nahin nahin main eisa nahin kar sakti…… mujhe issko rokna hoga…….”

Seema ne apne seene par pathar rakh kar Abhay ke chehre ko apne seene se alag karte huwe dheemi awaaz mein bade pyar se kaha, “Abhi main Anny nahin hoon, main tumhara dost Seema hoon, dekho mujhe, kia main Anny jeisi dikhti hoon? Kia main Anny hoon? Hmm? tum apne Anny ke chehre ko yaad karo aur batawo mujhko ke woh keisi dikhti hai? Bahot khub surat hai kia woh? Aur woh tumse bahot pyar karti hai kia? Hmm bolo bolo?!”

Abhay ne udaas nazron se Seema ke chehre ko ghurrte huwe soch mein doobe apne nazron ko Seema ke chehre se hataa diya. Magar Seema usske chaati par apne jism ki wazan se jhuke huwe pyar se uss se kaha, “Mujhe yeh batao Abhi, tum ne to keh diya abhi abhi ke tum Anny ko bahot love karte ho, to kia woh bhi tumse utna hi love karti hai ya phir ussne tumko dhoka diya jisski vajah se tumhara yeh haalat huwa? Hmm bolo Abhi yeh ek mawka hai tumko sabhi baton ko yaad karne ka, batawo mujhe kia Anny ne tumko dhoka diya hmm?”

Phir Seema ke mann mein negatives khayaal swaarth ke saath yeh aaaye ke kaash Anny ne issko dhoka hi diya ho tab yeh usski ho sakti hai hamesha ke liye…. Tab Seema ne Abhay ke jism se apne jism ko lagaaye huwe kaha, “Dekho Abhi agar Anny ne tummko dhoka diya aur kissi aur ke saath chali gayi hai to bhool jawo usse, main tumko uss se bhi ziada pyar karungi, zindagi bhar pyar karungi tumko, tum ko mujhse Anny se bhi ziada pyar milega, hmm kia kehte ho mera pyar swikar hai tumko Abhi…….”

Aur Abhi thode se ghusse mein Seema ko halke se dhakka dete huwe ek chote bache ki tarah naraaz hote huwe kaha, “Meri Anny kabhi bhi mujhko dhoka nahin de sakti, tum buri ho tum Anny nahin ho sakti chale jawo yahan jawo jawo jawo…. Chali jawo …..”

Uss halke se dhake se Seema zameen par girr padi aur Abhay ke laal chehre ko dekhte huwe enkhon mein ensoo liye, aur dil mein choth liye, dhire se uss kamre se nikal gayi…..

To be continued…………….
 
Dimaagh ka garam, Dil ka naram
365
69
28
Update 60

Seema ko Abhi ke uss vyohaar se dukh to huwa phir bhi Seema khud se yeh kehte huwe apne app ko tassalli di ke “Abhi ko to khud pata nahin ke woh kab kissko choth ponhcha raha hai ya kab kissi ko bura keh raha hai, uss ko inn sab baton ka koyi samajh hi nahin, to uss se shikwa gila kyun karein, masoom hai who, main ne hi ghalat kiya Anny ko dhjokebaaz kehkar, woh Anny ko behad chahta hai…usske dil se Anny ko nikaalna naa mumkin hai lagta hai….. khair koyi baat nahin mere kismat mein agar usska pyar milna hai to milkar rahega, agar nahin to mujhr unn donon ko milana hoga keise bhi karke…. Koyi na koyi roshni ki kiran kahin se to nazar ayegi…..” Yeh apne aap se kehte aur apne ensoowon ko ponchte huwe Seema Abhi ko sochte sochte so gayi.

Uss taraf Ananya dukhi ho gayi thi ek to Amaan ke harkaton se duja uss bure sapne se. uss sapne ko lekar who kaafi pareshan rehne lagi. Kabhi Abhy ke maa ke saath rehti to 4’ 5 din apni mummy papa ke ghar. Anny ko bahot chinta rehti ke agar sach mein Abhi kom kuch ho gaya, usska dehant ho gaya to who ek baar manhoos keh diya gaya hai ab yeh mukarar hojaega ke who manhoos hio hai kyun ke shaadi hote hi ek pati marr gaya aur dusre ka yeh haal huwa to who kia karegi…. Inn sab baton ko lekar Ananya bahot hi, had se ziada pareshaan aur udaas rehne lagi. Ab ussko Abhi ke ghar mein usske maa ke saath rehne mein darr lagne lagi kyun ke kahin agar sach mein Abhi kokuch ho gaya to ab Abhi ki maa bhi ussko manhoos na kehde…. Iss liye Ananya ne decide kiya ke ziada waqt ab who apne hi ghar mein rahegi. Ussne dance school bhi jana band kar diya, sab Vinay aur Iqbal ke zimedaari par cho9rrte huwe. Bilkkol udaas aur gumsum si rehne lagi…… lambi lambi senson ke beech dil ke dharkanon ko sambhaalte huwe Anny Abhay ko dil mein basaye apni viraan zindagi ko tanhayi aur andhere lamhon mein guzaarne lagi…………

Iqbal, Vinay aur sabhi dusre Anny kea as paas walon ko pata chal gaya ke Anny dikhi hai magar kaun kia kar sakta tha? Saleem bhai Police Force ke unit mein responsible walon par zor lagaya ke Abhi ke bare mein kaam ko sakht kiya jaye kyun ke ye mumkin nahin ek agar Abhay ki laash nahin mila to who ghayab ho sakta hai, who kahin na kahin to hoga, ussko dhudne ka zimma alag alag police ke vibhaag mein banta gaaya aur sab jee jaan se koshish mein lage huwe the.

Uss taraf dusre subha ko jab Seema uthi to Abhi tab tak so raha tha aur Seema ko kaam par jana tha to donon ki mulaakat nahin huwi. Seema ghar se nikalne se pehle Abhay ke kamre mein ussko dekhne gayi to dekho ke who gehre neend mein hai to ussko disturb nahin kiya. Magar Seema kuch der tak Abhay ko dekkhti rahi jeise usssko nihaar rahi ho, who Abhy ke chehre ko iss tarah se dekh rahi thi jeise ek maa apne sote huwe bachche ko dekhti hai bahot pyar aur muhabat se. Seema ka bahot dil kiya ke uss waqt who Abhay ko zor se apne bahon mein lekar ussko seene se lagaaye. Magar apne dil par pathar rakh kar who kamre se nikal gayi. Kaam mein din bhar Abhay ka who soya huwa chehra Seema ke nazron ke saamne ghumti rahi aur ussko bahot pyar araha tha usspar. Ussko Abhay ke uss masoom dekhne wale chehre ko chumne ka man kar raha tha aur khud ko kosne lagi ke kyun nahin chuma ussko jabke who so raha tha!

Udhar Abhay utha to ghar mein idhar udhar iss kamre se uss kamre mein ghum raha tha subha subha. Seema ki maa ne uss se poocha ke kia dhund raha hai to ussne achanak poocha, “Mummy kahan gayi?” Seema ki maa ko bahot heyraani huwi ke kia who Seema ko ‘mummy’ keh raha hai? To ussne poocha, “Kiss ki mummy beta?” To Abhay phir khamosh ho gaya aur idhar udhar kamron mein dhundta raha kaafi der tak.

Kuch der baad Seema ki maa ne Seema ko phone karke Abhy ke bare mein bataya, to Seema ne apni maa se kaha ke ussko Abhay se usski maa ke bare mein baat karna chahiye tha shaayad ussko usski maa ke bare mein kuch yaad aya ho!! Anny ko phir fikar hone lagi aur ussne kaam se leave liya aur jaldi ghar wapas aayi adhe din ke baad. Abhay uss waqt usske ghar ke saamne khada kuch logon ke saath idhar udhar dekh raha tha to Seema ne usska haath pakar kar ussko ghar ke andar legayi aur ek kursi par bithakar poocha, “Mujhe batawo tum aj apni mummy ko dhund rahe the kyun?” To Abhay ne apne sar khujaate huwe poocha, “Meri mummy hai kia? Kahan hai? Keisi hai?” Sema ne apne maathe par apne haath maarte huwe kaha, “Oye Abhi aaj subha tum sabhi kamron mein apni maa ki talaash kar rahe the ke nahin?” Tab Abhi dimaagh par zor lagaate huwe Seema ke chehre ko ghurrte huwe bola, “Mujhe koyi kaam dhundna chahiye main kab tak tum par depend karta rahunga? Mere liye koyi naukri dhundo nah!” Seema aur bhi shocked ho gayi aur bahot heyraani se Abhay ko dekhte huwe poocha, “Tum kaam karna chahte ho? Kia kaam kar sakte ho tum? Kabhi kaam kiya bhi hai? Kahan kaaam karte the pehle?” To Abhay phir apna sar ko khujaate huwe sochne laga. Aur kuch der tak donon bilkool khamosh rahe, aur ek dusre ke chehre ko ghurte rahe phir Seema boli, “Achah batawo kaun si naukri dhundun tumhare liye?” Tab Abhay ne apne haath uthate huwe uss taraf ishara kiya jahan kuch mazdoor kaam kar rahe the ek construction site par jahan ek bada dam banaya jaa raha tha sarkar ke taraf se aur bahot sare mazdoor wahan kaam kar rahe the. Seema pareshaan hokar uss se poocha, “Tum mazdoori karoge?” To Abhi ne han mein sar hilaya. Seema ke samajh mein nahin araha tha ke kia kare. Who Dargah wale baba se milne gayi aur ussko sab baat batayi to baba ne kaha agar Abhay kaam karna chahta hai to achchi baat hai ussko kaam karne dena chahiye shaayad issi bahane usske yaadaash lawt aaye. Tab Seema ne apne pita ko bheja unn workers ke leaders se baat karne Abhi ko wahan bharti karne ke liye aur dusre din se Abhay wahan gaya kaam karne.

Ek aadmi jiss ne kabhi zindagi mein koyi hard work nahin kiya ho ussko achanak pathar uthane ko aur cement mix karne ko bhej diya jaye to kia haal hota hai usska?! Dusre din kyun ke Abhay wahan kaam karne gaya Seema ne phir leave le liya apne kaam se. Aur din bhar kuch doorie par SE Abhay ko dekhti rahi, ussko nihaarti rahi. Dekh rahi thi keise, kitne mushkilon ke saath who pathar utha raha tha, keise spade se cement mix kar raha tha keise apna pasina ponch raha tha aur keise usska chehra laal ho gaya tha…. Mann hi mann Seema usske liye duwaaein mang rahi thi aur uss ko pyar bhari nazron se usski himat ko salaam kar rahi thi… uss sham ko jab Abhay kaam karke wapas arahaa tha to Seema ne usska haath thaama aur dekha ke chaale pade hein usske haathon mein aur khoon bhi beh raha hai to who zor se rone lagi, aur dargah wale baba ke paas Abhay ko lejaakar usska haath dikhaya rote huwe aur kaha, “Baba main din bhar issko dekh rahi thi ek pal ke liye bhi issne uff tak nahin kiya, din bhar mujhe bilkool pata nahin chala ke isske haath mein itne chaale pad gaye hein phir bhi yeh kaam karta gaya inhi ghaayal haathon se, yeh kaun hai baba keise itni himmat hai isske paas? Kyun itna dukh she raha hai yeh aur zubaan se uff tak nahin karta baba?!!

Abhay chup chap baitha apne haathon ko dekhe jaa raha tha……………….. Aur Seema roti jaa rahi thi budhe baba enkh phade donon ko dekh raha tha dil mein dard liye………………………………………….

To be continued…………
 

Top