Thriller Kuch Nhi Tere Bin

.
Moderator
2,372
1,837
143
"Kuch Nahi Bin Tere "





Kuch Nahi Bin Tere is purely based on an Imaginary Creation.

Kuch Nahi Bin Tere purn roop se ek sachi kalpnik kahani hai.



Drama :::::: sience fi. :::::: action }
{ A Complete Drama}




Chahat, Nafarat, Dhokha,Power, Sajis, SUSPENCE,ACTION, Aur Hatya ..... Ek baar jo kadam dagmgaye phir kabhi wapas nahi lauta ......

Sabhi pathak ka dil se hardik swagat .... Fantasy, Love, Sex,Power, Dhokha aur Sajis ki ek anokhi Kahani....

Credit Goes to origional Writer :: @nain11ster


Kuch Nahi Tere Bin
 
Last edited:
.
Moderator
2,372
1,837
143

Update-3

Bakshi... Copy that ... All team mate alert .... Keep bulls eye and wait for my msg..... Suchitra .. Singal jammer lagao, abhi iss ilake me.... Prakash ... Tumhare range me koi infalmable hai ...

Prakash.... Yes sir ..


Bakshi.... Shoot them right now, ... Sumit uske shoot hote he unki movement chek karo, aur koi mujhe batayega air ambulence ab tak kyon nahi aaya.


Sumit... Sir, on the way hai, 5.30pm inki arriving time hai....


Bakshi.... 15 min ka samay, hold on Sumit .... Tum dono kya naam hai tumhara...

"Saurav aur Hasan... Naam hai"


Bakshi... Kyon miyan itna attitude wo bhi war zone me. Suno tum dono, ye ek waki rakho ... Aur is ward ke sare patient aur dr, maujood jitne bhi log hain, sab ko ground floor me pichhe ki ore shift karwao... Aur gate par khadey hokar wahan ki harkaton ko dekho ...


Sumit.... Sir, they are high tech, i repeat they are high tech.


Bakshi.... Copy that, kya movement hai..


Sumit... Sir unke pass remote acess flying bomb hai... Aur takriban 40 hain jo hum se 400 meter ki duri par hai .....


Bakshi .... Alert all team ... Hum 10min me nahi nikal sakte. Leave your position and everybody come here. I repeat leave your position and come together.


Sab logon ke sath, Saurav aur Hasan bhi ward 2 ke pass aaya aur dr Mdan ki kismat, wo bhi ward 2 me dekhne chala aaya, ki ho kya raha hai.


Bakshi..... Thanks Dr Madan aap humari help ke liye aaye. Tum dono ... (Saurav aur Hasan ko kahte huye) .. In dono drs ke sath apne dost ko ward se bahar nikalo hume abhi turant hospital se nikalna hai ...


"Sumit .. Air ambulence ko wapas lautne bolo .... Naman ... Prakash .. Capture the main gate ... Suchitra apni location bhejho aur military help maango. Aruv , tumhe pata hai na un bomb ko kabtak humse dur rakhna hai .... Do it immidietly. Sumit rescue mission start .. Hume yahan se Sahil ko surkshit nikalna hai ..... Chalo fast" .....


Sare instruction sab ko mil chuke the, Aruv jo Bakshi ke sath tha, usne turant kuch paper aur carten liye aur usme aag laga di. Dhuyen ke karan fly bomb ke lage camre ki visbility khatam ho gayi. Sumit ka aankra bahut he galat tha, kyonki 40 to kewal ek side se tha, pure hospital me 150 se jyada flying bomb the.


Ek flying bomb ko unhone blast karwa kar apni mansa jahir kar di. Dhamka kaphi tej tha, aur 200 meter redius ka area saaf kar diya...


Bakshi.... Sumit, yahan hospil me maujood sabhi logon ki jaan phas gayi hai, wo pure hospital ko blast kar sakte hain ... Aruv ... Kitne percent chance hai ki hum inko jahir kar ke bhage aur bach jaye.


Aruv.... Sahidon ke khoon se yadi laal honi hai dharti to hum lad kar kyon na mare sir, bhag kar kyon.


Bakshi.... Abhi marne ka time nahi hai Aruv, lade bhi to kya hasil hoga, apne sath kayi civilians ki jaan jayegi. Colletral damage ka kuch andaza bhi hai, ab jo bola wo batao...


Arubh... Sir depend karta hai, main inhe 10 min tak roke rakh sakta hun.


Hasan.... Sir, main 10 min ke baad ki jimmedari meri


Bakhi.... Ab tu kaun sa mechanical engeneer hai jo ye bol raha hai.


Sare team mates aur mari si haalat me Sahil, uske sath roti hui Anu aur dar se kanpta Dr Madan, sab ek jagah the.


Hasan.... Sir, abhi baton ka time nahi hai ... Hume nikalna hai. Pahle ke 10 min aap logon ka baad ka mera raha . Saurav chal gariyan late hain


Bakshi.... All team mates .. Give him cover fire ...


Sab log chhipte-chhipate nikle gate se bahar aur piller ke pichhe chhipe rahe, Hasan aur Saurav gariyan lene bahar nikle... Idhar flying bomb ke camre se unka dhyan batane ke liye sabhi surksha adhikariyon ne apni position leli .. Urte flying bomb par pahla nisana .... Boom....


Sniper ki firing west se hoti rahi ... Aur north ki ore se Hasan aur Saurav gariyan la rahe the ... Sab bade mazakiya andaz me, usne kitne bomb shoot kar ke gira diye ye bhi counting kar rahe the..... Aur dusron ne kitne bomb ko nisana lagaya.


Prakash ..... Oh my god ... Gaye kaam se ...


Naman... Ohhh shit ... Ab ye kya hai, ek admi ko marne ke liye pure sahar bhar ka barood ....


Upar saikron ki tadaat me flying bomb ek sath aa rahe the ... Ek me dhamak ka matlab sare ek sath visphot .. Aur itna bada visphot hota ki uss se ye log bhi nahi bach pate.


Bakshi... Remote access kahin aur bhi hai, tumhari information wrong thi Sumit, bahar kahin aur se bhi najar rakhi ja rahi hai ......


Kahin dur baithe hamlawar ......

"Yaar ye kamaal ki maal hai ... Is par main bomb giraunga".... Achanak he Suchitra ki ore teji se urta hua ek bomb ... Bilkul passs aa raha tha ki Aruv ne aag bujhane wali cylender ka istaal kiya ... Us bomb ke aage white pura aur Aruv ne Suchitra ko wahan se hata liya....


Hamlwar 1.... Kahan gayi wo ....


Hamlwar 2..... Chuk gaye hum, sale bhut hosiyar hai ... Kah to pura hospital he ura deta hun ..


Hamlawar 1..... Sale kam akal, ye baat pahle kyon nai batayi... Bekar he ye chhote chhot bomb se happy deewali kar rahe hain ... Chal koi bada dhamaka karte hain ....


Hamlawar 1 ne apna laptop liya... Van ka roof khola aur .. Area locate karne laga .... Dhatt yaar jaroorat se jyada chalak nikle .. Signal jam chal raha hai, area locate nahi ho pa raha...


Hamlawar 2 .... Thik hai ... Ruk uss softwere wale padhe likhe ka kaam hai .... Dono ek softwere engeneer ko awaz dete ..... Sun oye padhe likhe gawar .. Iss bomb ka area locate kar hospial me aur kaam khatam karte hain....


Softwere engeneer... Dekha main kitna jaroori hun .......


Idhar hospital me dono ko gariyan mil chuki thi ... Ab bari thi tukriyon me batne ki....


Saurav ke pass ambulence tha, aur usme Bakshi, Anu, Madam aur Prakash ko jana tha.... Sumit, Aruv, Naman, Hasan aur Suchitra car me....


Bakshi... Inki movement dhimi kyon ho gayi....


Aruv... Kyonki 5 min me hospital urne wala hai, jammer ke signal ko weak kar rahe hain, 5 min me area locate ho jayega.....


Bakshi... Tujh se to jyada padha likha unki gange me hai, roko usse...


Aruv... Nahi ho sakta... Kyonki wo log pahle he server me ghus chuke hain


Bakshi.... Come on team ab chalo. Prakash .. Dikha do unhe ki hum nikal rahe hain....


Prakash ne ek hand granet ka dhamaka kiya ... Humla karne walon ke camre me jaise he ye feature hua... Dono humlawar uss softwere engeneer ko akela chhor screen dekhne lage .. Aur flying bomb access karne lage ...


Teji se dono griyan gate par lagi .... Gate par gari lagte he wo dono humlawar chillaye... "jaldi kar ye sab bhag rahe hain"


Aruv ne ek smoke bomb chhora, charon taraph dhuan he dhuan ... Dono hamlawar ne kayi flying bomb chhor diye ... Uss bomb ke baad jab dhuan shant hua ... To unhe 2 gariyn chithron me dikhi .... Sab jeet ka khushi manate huye .... Apne hathon me sarab utha'te huye .... "Mar gaye sale"....
 
.
Moderator
2,372
1,837
143
Update 4

Aruv ne ek smoke bomb chhora charon taraph dhuan he dhuan ... Dono hamlawar ne kayi flying bomb chhor diye ... Uss bomb ke baad jab dhuan shant hua ... To unhe 2 gariyn chithron me dikhi .... Sab jeet ka khushi manate huye .... Apne hathon me sarab uthate huye .... "Mar gaye sale"....


Gariyon ke parkhache udd chuke the, par aisa hona he tha isliye dhuan hote he sab parking ki ore bhage, jahan Hasan aur Saurav ne pahle se do gariyan jane ke liye ready kar chuka tha.


Jabtak un hamlawaron ka dhyan maidan me bhagte logon par jata, tabtak uss maidan me kayi jagah duan hone laga tha .... Aur andhere me teer chhor rahe the hamlawar ... Har dhuyen ki jagah par bomb bhut rahe the.


Visphot itna tej tha ki Madan ka to dil dahal gaya tha. Uske badan kanp rahe the....


Bakshi.... Chalo jaldi sab gari me baitho.


Suchitra.... Sir, wo ladki mar gayi...


Bakshi.... Kya ?????


Suchitra.... Haan sir, wo ladki, wo dr jo humare pichhe thi, wo dekhiye .... Ussee


Bakshi.... Ohhh noooo ! Come on hurry up ... Chalo chalo ... Chaloooo


Sab garyon me baithe ... Tay guton me sab nikle .... Ambulence me Hasan ghusa aur pichhe Saurav car lekar nikla... Ab dikh gaye ye log gate se nikalte ... 10 sec lage honge.. Sari gariyan apni top speed me.


Par ye flying bomb ki speed bhi kam nahi thi, kuch he palon me dono gariyon ke chhat par mandrane lage.


Hasan ne apne phone se Saurav se kaha .... Surav abhi.... Dono gariyon ne bilkul pura break ek sath laga diya...


Speed me chal rahi flying bomb kuch dur aage chalti rahi, phir wo wapas mudi....


Hasan.... Saurav aage se tum left aur main right, tumhe pata hai hume kahan milna hai.


Saurav.... Thik hai dost chalo chalen, aaj humare bhagne ka din hai, par ek baar Sahil ko jaag jane do hum inhe aise he bhaga bhaga ke marenge.


Phir Saurav aur Hasan ne alag-alag kisi aur ko call lagaya .....


Saurav.... 5 min me hum tumhare area se honge. Kuch bomb uran tastari humara pichha kar rahi hai, aur us se hume pichha chhurana hai.


Reply..... Kya mast chij apne sath la rahe ho Saurav bhai, aisa to hum filmon me dekhte the, aane do aane do .. Yahan aakar sab bekar ho jayega.


Idhar apne mobile se call lagate huye .... Tum log taiyar to ho na ... Jo photo mms kiya tha us se pichha chhurana hai, Sahil humare sath hai....


Reply.... Aap highway par pahuncho, Sahil bhai ke liye hum jaan laga denge... Par unhe kuch nahi hone denge.


Bakshi.... Kyon be ye tumlogon ka network Bsnl hai kya, connecting people. Sala yahan pure desh me millitary hogi, humari khabar bhi gayi, to bhi ab tak nahi pahunche, aur tum log ke liye madad har 10 min ki duri par khadi rahti hai, pura country he gange me samil ho gaya kya ?


Hasan, Bakshi ki baat ka koi jabaw nahi deta hai. Aur gari ko kabhi fast to kabhi slow me chalate rahta hai. Bomb lagatar phut rahe the, par kisi tarah bachte-bachate sab nikal rahe the.


Kuch dur aage jakar gariyan do alag alag raste par chal di, Saurav left ki ore nikal gaya, thodi dur raftaar me chalne ke baad Saurav ko unke sathi dur najar aane lage ....


Sumit aur Aruv ek dusre ka muh dekhte huye .... "Aakhir ye kar kya rahe hain".....


Saurav tabtak unhe call laga chuka tha .... Humari gari aa rahi hai .... Tum dikh rahe ho.


Udhar se reply ... Dikh raha hai Saurav bhai .. Aur ye bhi dikh raha hai ki chhote chhote alian ship aap ka pichha kar raha hai.


Saurav.... Tum ye do gariyon ke upar bari tin ki hording liye kyon ghum rahe ho.


Reply ... Bas dekhte jao Saurav bhai.... Aap iss hording ke niche se bilkul bich me apni gari lagao... Aur chalte raho...


Do gariyan sadak ke dono ore khadi thi... Uske pichhe dikki ke thik upar lohe ki ek chadar thi jo dono gadiyon ke dayen se bayen connect thi. Ye hording jaisa dikhne wala tin sadak se takriban 5 fit upar thi aur uski unchayi takriban 15 fit hogi.


Saurav ne apni gari us board ke niche se teji se nikala ... Upar aa rahe flying bomb uss chadar se takraye, aur heavy collision ke karan kuch blast huye, kuch ka urna band ho gaya. Leekin ye thode se ho tab na pichha chhore. Ek lot bekar hua to bomb ka dusra jattha aaya.


Saurav.... Pichhe dekho .... Aur bahut se aa rahe hain...


Reply ... Chinta kyon karte ho Saurav bhai ... Aane do ...


Wo najdik aur nadik aate chale gaye .... Flying bomb yahi koi do meter ki duri par hoga tabhi ... Dono gariyon se instruction aaya ... Sabhi break laga kar speed dhimi karo...


Saurav.... Par wo humare left aur right side se aa rahe hain .. Unka pahla target tum ho.


Phir reply mila... Marji hai Saurav bhai aap ki, phir baad me na kahna ki bataya nahi tha.... Itna kah kar ... Dono side ki gariyon ne ek dushreko instruction diya ... Ab ... ..


Aisa kahte he ek high voltage magnetic wave uss chadar par chhora gaya. Iss wave ka samay takriban 2 sec hoga... Ye wave itna tej tha ki garian tak khinch gayi, sare flying bomb ek ssath chipke aur chhute ... Sab itna chhan bhar ka tha ki jab tak wo bomb visphote hoti .. Sari gariyan unbalance condition me he aage badh chuki thi.....


Aruv in logon ka dimag dekh kar, bilkul josh me uske muh se nikla "wahhh" ...... Andhera bhi ho chuka tha aur in logon ka pichha bhi uss bomb se chhut chuka tha ....


Idhar jab Hasan ki gari right li aur kisi tarah bachte bachate chal rahe the, par ye thi to ambulence... Speed aur controle dono car ki tarah nahi thi. Right mudne ke 1/2 km jane ke baad he jab un flying bomb ne ghera, aur Hasan ne break lagaya ... Thik ussi waqt teen bomb visphot huye .. Jisme ek bomb engine par laga.


Aage ke kanch ke chhote chhote tukde sabhi ke badan me chubhe. Aage driving seat par hasan tha aur ek bada kanch ka tukra uske hath me ghus gaya, ek tukda pet me aur pure badan me kanch ke chhote chhote tukre ghus chuka tha. Hasan ussi chhan bhosh ho gaya, gari unbalance ho gayi.


Jaldi se Prakash ne staring sambhali, kanch ke tukre usse bhi chubhe the par kam chubh the. Dr Madan thik driving seat ke pichhe baitha tha isiye wo bach gaya.


Bakshi.... Prakah ek min me phir se bomb yahan tak hogi, ab humara bachna muskil hai.


Praash... Sir, marna yadi aaj kismat me hai to phir koi bacha nahi sakta, aur bachna tay hai to atom bomb bhi gire to bhi bach jayenge.


Abhi dono baat kar rahe the ki samne highway ka ek chauraha tha, jahan container dhone wale char teller khade the, jo pura pack the bas pichhe ka gate khula tha.


Bakshi.... Prakash sayad aaj humare marne ka din nahi. Gari uss truk ke ander daal do.


Truck ke upar se kuch aadmi ishara bhi kar rahe the, gari ander dalne ke liye. Prakash ne top speed laga diya aur jaldi se Ambulence ander dal diya. Truck ka pichhla darwaja band hua aur sab ghayalon par jaise behosi chha gayi ho.


Truck ke ander pahle se kuchh aadmi maujood the, wo ander ambulence me ghuse..... Sare log lagbhag achet awastha me the.


Subah 9am baje ke karib sabki ninden khuli, sabke sarir par pattiyan bandhi thi, aur jitne kanch ke tukre dikhe nikal diya gaya tha. Lekin jab pure sarir me kahankahan tukre ghuse hain ye khud ko tab pata chale jab dard ho, to bhala nikane walon ko kaise pata chalega....


Sabhi jab uthe to kaphi dard me the, halaat sabki kharab thi, sab kal ke huye wardaton ke baad aaram bhi nahi kar paye the, aur jab aankhen khuli to khud ko ghane jungle me paya.


Saurav, uske sath kuch log aur Dr Madan, sabke pass pahunche, thoda nasta karwa kar sabko pain killer injection diya aur, kuch antibiotic khane ke liye...


Bakshi.... Hum kahan hain...


Saurav.... Aap sab surakshit hain, hum Delhi-Agra ke bich ke junlon me hain.


Bakshi.... Sahil kahan hai..


Madan.... Sahil ander kamre me hai, uski sansen ab tak chal rahi hai, par kabtak chalti rahegi pata nahi.


Bakshi.... Uski sansen bas aaj tak ke liye chalao dr, kal hum usse shift kar denge.


Madan kaphi gusse me bolte huye ..... Mar jaye ye, mujhe uss se koi lena dena nahi. Iski wajah se sakron jindgiyan dau par lagi.... Iski wajah se Anu mar gayi, aur aap kahte hain ki isse bachao.

"Aisa kya hai jo sabki jaan dau par laga kar .. Aap sirf iski jaan bacha rahe hain... Mujhe to shaq hai ki kahin aap he to in sab ke leader nahi, jo apne sathi ko bchane aaya hai".


Bakshi.... Ye Delhi sahar hadson ka sahar hai, yahan zindgi hadson ka safar hai, yahan roj-roj har mor-mor hota hai koi na koi ... Hadsaaa .. Hadsaa ... Hadsaaa


Madan badi he ajib najron se Bakshi ko dekh raha tha, Saihil ke bade me ulta bolne ke chakkar me Sahil ke sathi aag babula ho chuke the, aur Madan ko maar dalne ko betab... Aur uspar Bakshi ka karra jabaw sun kar ... Sabhi Madan ka mazak urate huye jor jor se hasne lage....


Bakshi..... Dr saab, inne bhole kyon ho aap...


Madan aschrya bhadi nigahon se dekhte huye .... Aap ka dimag to khiska nahi hai na ?


Bakshi.... Dimag to tumhara khiskne wala hai dr, jab tum Anu ke bare me janoge. Uska marna to tay tha, aur haan iss Sahil ka bhi marna tay he hai.


Sahil ka marne ka naam sunte he uske sare sathi aaj babule ho gaye... Par Saurav ne shant rah kar sir sun ne ka ishara kiya......


Bakshi apni baten kahta raha.....

"Yee abhi humare liye thoda jarooru hai kyonki iske sine me kayi raaj dafan hai. Anu aur Sahil kabhi ek sath raha karte the, afwayen ye bhi hai ki Anu aur Sahil do jism aur ek jaan the".

"Aannn hhhhhaaa ! Chakrana abhi nahi ... Abhi aur bhi baten hain ... Anu char saal se lapata hai... Aur 8 salon se main inke pichhe hun. Koi bhi hath nai aaya. Aap ke liye Anu, humare liye ye jis dunia se aayi hai wahan ke liye Varsha."...

"Aap ko jaan kar aatti prasannata hogi, kyonki Anu ne he mujhe call kar ke bulayi thi. Ab aap soch rahe ho ki jo log itte dino se hath nahi aaye wo dono ek he din achanak kaise mujhe mile, aur jo Anu lapata thi, khud phone se contact ki"....

"Ab suno .. Wo janti thi ki isse marne ki kosis jaroor ki jayegi, aur iklauta main hun jiske bute par ye jinda rahega .... Sath me wo ye bhi janti thi dr saab ki abhi to main usse marne nahi de sakta .... So I m here, to save his life".

"Aur ab finally ek baat jiski ummid na ho ... Inhe marwane wale koi aur nahi Varsha ke so called pujya pitaji hai" ....


Badi-Badi aankhen kar ke sab Bakshi ki baten sun rahe the... Bakshi ki baat khatam hote he sab ka muh khula rah gaya aur bas muh se itna nikla ..... Anu ke dad hain in sab ke pichhe....
 
.
Moderator
2,372
1,837
143
Update 5

"Aur ab finally ek baat jiski ummid na ho ... Inhe marwane wale koi aur nahi Varsha ke so called pujya pitaji hai" ....


Badi-Badi aankhen kar ke sab Bakshi ki baten sun rahe the... Bakshi ki baat khatam hote he sab ka muh khula rah gaya aur bas muh se itna nikla ..... Anu ke dad hain in sab ke pichhe....


Madan..... Ye kya koi hollywood thrill movie ka ek sanchhipt vivran tha. Ye Anu nahi Varsha thi, aap Bakshi nahi Boss ho. Mujhe to chhakar aa rahe hain.


Bakshi.... Naman, dr uncle ko ek goli de de, inhe palne se achha hai isse Anu ke pass bhej dun, sare sawal ka jabaw wo khud de degi.


Madan.... Arre sir, yahan main pagal ho raha hun, ek din me kya sab ho gaya mere sath, mujhe ab bhi samjh me nahi aa raha. Upar se aap ki baten, achha khasa aadmi bhi pagal ho jaye.


Bakshi.... Ro kyon rahe ho dr saab, kal ki thakan bahut ho gayi hai, jakar so jaeye.


Bechara Dr, chupchap gaya so gaya, abhi subah ke 10 he baje the, Bakshi and company, Aruv aur Suchitra ko spot par chhorte huye, jungle me muayna karne aur madad mangwane nikal gaye. Idhar Suarav ke sathi ab bhi Bakshi dwara kahe gaye baton par gaur kar raha tha....


Ek aadmi.... Saurav bhai ye Anu aur Varsha ka chakkar kya hai ?


Saurav.... Pata nahi Guddu ye kya bole ja raha tha. Mujhe to in police walon ki baat ka jarra bhi yakin nahi hota, apna matlab nikalne ke liye koi bhi kahaani gadh dete hain.


Suchitra..... Juban sambhal ke, humare bare me kuch bhi bolne se pahle soch lo, kahin bolne ke liye tum he na bacho.


Saurabh..... Sorry devi ji, aap ko itne ke liye khoon garam karne ki koi jaroorat nahi.



Idhar jungle ke ander chalte huye Bakshi & company....

Naman.... Sir, itne high-tech wepon wo openly use kar rahe the, aap ke pass puri information bhi hai, to hum inse bach kar bhagte kyon fir fahe hain. Aur uss kamine ke jaan bachane ke chakkar me apni jaan kyon dau par laga rahe hain ?


Bakshi.... Intelligent ladka hai. Sahi sawal, aur aap jit chuke hain ek goli, jo ki tumhare khopdi me dalne ko mann kar raha hai.

"Prakash beta kya tu jungle ghumne aaya hai, sab ped par chadh kar dekho, network kahin to milega. Haan to mere munna Naman, kahan tha main"...


Naman ... Sir, wo aap mere khopdi me goli dalne ki baat kar rahe the.


Bakshi... Aay sabas, kitna honhar bacha hai, tabhi department walon ne sahi jagah bheja. Suno, hum jiske pichhe hain, wo insan he nahi hai, bhoot hai bhoot, aur wo jo ghayal haalat me leta hai na wo hai Nicole Cage. Nicole Cage ko janta hai na...


Naman... Koi terriorist hai kya ?


Bakshi... Aay sabas, pure time kya padhai he kiya aur maze ke liye 10 min porn video dekha, sine se bal ko sahlaya ... Aur aao aao karke .. Ho gaya....


Udhar se banki logon ke jor-jor se hasne ki awazen aane lagi......

"Kamchoron, kabhi-kabhi to kaam par lata hun, nahi to kuch biwi ki pallu se bandhe rahte ho
to kuch gf ke intzar me bhatakte ho. Aalsiyon kaam karo kaam... Ae Sumit tu kya ped par se chiriya mar raha hai, na mila network to dusre ped par chhalang laga, yahan ki baten na sun"...


Sare team member chup-chap ek ped se dusre ped par' upar-upar badhte huye network talaash rahe the, idhar niche Naman aur Bakshi ki baten chal rahi thi...


Bakshi... Haan to kahan tha main Naman


Naman... Sir, koi Nicole cage the jise main nahi janta hun, aur uspar aap kuch nasihat de rahe the.


Bakshi... Wahhh ! Isse kahte hain candidate. Tu ghost rider ki dvd le lena dekh lena samjh jayega. Wo iss movie ka hero hai. To movie me hota kya hai, ki ek ko saza ke roop me ghost ka sikari bana diya jata hai, aur uss ka kaam hota hai ghost hunt. Aur maze ki baat ye thi ki uss ghost rider ko bhi nahi pata tha ki wo bhi unhi me se ek hai, bas uska kaam apne he biradri ke logon ko khatam karna hai"....

"Ab jab wo ghost rider marne nikla apne he biradri ke logon ko, ab marne-marne ke dauran kuch masoom sahari me bhi mare. Ab ye log aapas me ladte rahe, kuch masoom inke jhagre ka sikar hote rahe, aur police wale chutiye, usse samjh me he nahi aaye ki kar kaun
raha hai. Bas itna pata hota hai ki, kand ho rahe hain sahar me bas".


Naman.... Matlab ki ye jo hai Sahil ye unhi ko maar raha hai jinhone isse banaya, aur hume kuch pata nahi ki kaun mar raha hai aur kaun mar raha hai, bas itna pata hai ki ho raha hai.


Bakshi.... Nahi Naman, thoda sa change hai. Ye jab ladte marte hai na, to masum logon ke jaan ki koi kimat nahi hoti. Inhe koi parwah nahi hoti ke kitne mare aur kitne bache. Uske alawa inka sindicate bomb plan karte hain, wepon dealing, yahan tak ki missile aur ammunations ki nayi taknik izad kar ke market me late hain. They are dam terriost.


Naman.... Sir, phir hum kya kar rahe hain, inke against koi action kyon nahi lete.


Bakshi.... Meri ikchha to jaan se mar dene ki hai, par koi naam koi surag koi clue kuch to ho. Iss case me 200 se upar ki giraftari ho chuki hai, kayi foreign opretion kiye ja chuki hain, par humari talash bas andhere me khatam ho jati hai, aisa lagta hai jaise koi wajood he na ho.


Kaun hai, kahan se oprate hota hai, mastermind kaun hai kisi ko nahi pata. Jante ho, jitna maine wahan bataya bas utna he iss case ke bare me janta hun. Na to inki koi tasveer aur na he koi identification.


"Ye Sahil aur Varsha mujhe char sal pahle mile the. Ek khabri ki khabar par inki talaash me nikla tha, par wo ek trap tha. Meri liye pahla aisa mauka tha jab inke group ka koi aham kadi mere samne aaya tha... Wo tha Sahil aur uske sath thi Varsa".


Bas ek min ki mulakaat thi, meri iske sath .. Aur jante ho kya kaha tha ....


"Gar marna he zindgi hai to ek baar mar kar kyon na dekh liya jaye".... Jaise aaj bhi gunj rahi ho iski baten...


Sidhe sabdon me kaha tha uske baad... "Parchheyon ka pichha chhor do Bakshi, tumhe kuch hasil nahi hoga. Ye ab prabhutw ki jung hai, aur tum isme bewajah pis jaoge... Behtari issi me hai ki humse dur ho jao, kyonki tum jane-anjaane me unka kaam aasan kar rahe ho, jise main jinda nahi dekhna chahta. Tumhe naam chahiye naam milega, main aur Varsha khud tumhare pass aayenge ye sare mere chahne walon ko close kar ke... Ab jao aur ghar jakar biwi bachon ke sath mauj karo".

"Bas uss ek mulakkat ke baad kal mila. Ye Varsa dr thi mujhe pata bhi nahi tha. Bas paheliyon me zindgi kaat raha hun. In char sal me kya kiya isne, pahle kya hua, kaun hai inke pichhe, kya thi inki prabhutw ki jung.... Bas ek sawal ki tarah hai... Ek uljhi hui paheli".


Aaj se pahle kabhi kisi ne Bakshi ko itna serious hote nahi dekha, aisa lag raha tha jaise koi ashay chhatpata kar hath paun mar raha ho.


"Ohhh nooooo" badi tej awaz ke sath Prakash chillaya...


Bakshi... Kya hua Prakash....


Prakash.... Sir, hurry up, hume wapas jana hoga. In logon ne galat infomation diya hai. Hum Delhi-Agra ke bich ke junglon me nahi hai, balki hum Delhi-Shimla highway ke bich ke junglon me hain.


Bakshi chillya.... Tum sab ko goli maar deni chahiye. Kaun-kaun tha uss Saurav ki gari me. Tumhe pata nahi chala ki gari kis route par hai, ya signal nahi kaam kar raha tha.


Sumit.... Sir wo aage ja kar humari gari ek container truck me ghusi aur uske baad ka pata nahi chala.


Bakshi.... Tum logon ko main baad me dekhta hun ... Abhi chalo jaldi base par...


Sab daure base ke liye, hafte huye pahunche sab ke sab ... Wahan bas ek board mila... Aur us par likha tha....


"Sahil ko yahan tak lane ka sukriya, par humara bhai aap ke sath kisi jail me nahi ja sakta ilaz karwane .... Sorry majboori me aap ke do sathi ko uthana para ... Sahil ke hosh me aate he hum usse sahi salamat wapas kar denge.. Par pichha karne ki kosis kiye to ... Dono ki lash mil jayegi.


Suniye Bakshi sir, aap ka gps jo Dr ke body me tha wo nikal kar discard kar diya hai, yadi kimti hogi to bata dena paise bhijwa denge... Aur haan jate jate ....


"Pagdi Sambhal Jatta Pagdi Sambhal Oye
Pagdi Sambhal Jatta Pagdi Sambhal Oye
Tera Lut Gaya Hai
Tera Lut Gaya Hai Maal Jatta Pagdi Sambhal Oye"


Sumit..... Ab hum kya karenge sir ?


Bakshi... Padha nahi thik se kya ... Apni pagdi sambhalen'ge .....


Idhar Suarav
apne do sathi, do driver, aur do ghayal, Hasan aur Sahil ke sath nikal gaya. Nikalne se pahle Saurav ne, Suchitra aur Aruv ko behosh kar diya tha, aur Dr ki dar ka fayda utha'te huye usse jabardsati sath le aaya.


Raste me do baar gariyan change huyi. Dono baar highway se he container change kiya. Ander jaroorat ka lagbahag sara saman maujood tha, khaskar dawaiyan, oxygen cylender aur khane pine ki chij.


Raat ko Aruv aur Suchitra ki behosi tooti, khud ko bandha hua pakar khub hath pawn mare, kayi dhamkiiyan di in logon ko, sab haste rahe inki baton par aur inka karwan chalta raha.


Takriban 36 ghante lagatar chalne ke baad gari ek jagah ruki, sab bahar aaye, wahan pura andhera tha. Saurav andhere me hi kahin chalta gaya .. Aur "khat" ki ek awaz hui jo sayad main board ka switch tha. Pure jagah me ek taraph se light jal gayi.


Ek bada se maidan ko jaise chardeewari ke nader kaid kar ke upar chhat dal diya ho, dikhne me hall ki tarah lag raha tha, aur usme andazan 50 aise container khadey ho jate ek sath tab bhi jagah khali he rahti.


Saurav ne kuch button press kiye aur samne se ek pick up van aayi. Uss Van me Aruv aur Suchitra ko load kar ke bhej diya gaya, uske baad ek dusri van aayi jisme baki ke log chale.


Madan ko to ab bhi yakin nahi ho raha tha ki wo hai kahan, aur achanak se uski zindgi me ye toofan kahan se umar aaya. Madan ne jo aage dekha usse dekh kar uski aankhen chaundhiya gayi, kyonki unki van jis darwaje ke bahar ruki, uske ander jate he ek attaya-aadhunik hospital thi, jo uske hospital se sabhi mayno me kayi guna aage thi.


Wahan uss hospital me Madan ke alawa do drs aur bhi the. Sahil aur Hasan ka ilaz shuru ho chuka tha, aur sare uske chahne wale, jald se jald Sahil ke hosh me aane ki kamna kar rahi thi.


Wahan uss jagah par aane ke daswe din... Hospital ke ander se se khusi ki vissel baji... Aur ander se he announce hona shuru hua..... "Sahil ne apni ungliyan mori aur apne paun hilaye" ...


Sahil ko hosh aane laga tha ... Aur idhar shail apni nis-chetna me apni dhundhli yadon me ... Usse dhundla sa ... Maa ka aancha... Gawn ka ek aangan, bati ko patak kar roti ek ladki .... Ek dhundhli si yaad..........
 
.
Moderator
2,372
1,837
143
Update 6

Sahil ko hosh aane laga tha ... Aur idhar shail apni nis-chetna me apni dhundhli yadon me ... Usse dhundla sa ... Maa ka aanchal... Gawn ka ek aangan, bati ko patak kar roti ek ladki .... Ek dhundhli si yaad..........


"Suniye ji, ... Chaliye yahan se, humare liye yahan kuch nahi rakha"

"Maa, maa, khana do naa bhukh lagi hai"...... "Aangan me jakar apni chhoti maa se le le"

"Kamla, ye gawn humara hai, yahan ke log humare hain, swarthi mat bano"

"In khandharon ko aur yahan ke swarti logon ko aap apna bolte hain, log khun ke pyase hain aap ke. Itti si baat samjh me nahi aati".........



__________________________________


"Utho na maa, Babu ji .... Chhoti maa, chhote pa... Inhe kya hua, kahan le ja rahe ho, mujhe bhi jana hai, maaaaaaaaaaaaaaa. Chhoro.. Chhoro mera hath chhoro"......


________________________________



"Chhoti maa bhukh lagi hai khana do na. Pet dukhta hai" ...... "Karmjala ... Tu bhi kyon nahi mar gaya apne maa baap ke sath... Chale gaye mere sir par chhor kar" ...

"Chhoti maa kahan hai meri maa, bahut yaad aati hai, maa hoti to apne hathon se khilati...... Aaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa"


"Hunnnnn unnnnn, hunnnnn unnnnnnnnnn"

"Lo lahe ho bhaiya, tup ho jao" ...... "Jalta hai, chhoti maa ne jala diay"..... "Lao fukkk du... Fuhhhh,fuhhhhhh, main maa te baat nai klungi, malti hai aap ko


________________________________



"Suno, kahin dur pahriyon se gira dena.... Hum kah denge kahin bhag gaya"....... "Thik hai.. Par tu dhyan rakhna, koi dekhe na main isse sath le ja raha hun"

"Chhote pa hum kahan ja rahe hain" .... "Mela dekhne ja rahe hain"...... "Chhutki ko nahi liye chhote pa"

"Bahut andhera hai chhote pa"........ "Aaaaaaaaaaaaaaaa"


___________________________


"Sansen chal rahi hai malik".... "Kiska bacha hai ye"..... "Pata nahi malik, hum jab aaye to ye yahin para tha, sayad raat me rasta bhatak gaya aur itne unchi pahari se gir gaya"

"Lagta hai bhagwan ka koi karisma hai .... Le chalo yahan se"


__________________________________


"Naam kya hai ladkey" .... "Kaun hai tu, kahan se aaya hai"...... "Papa lagta hai gunga hai... Kuch bol nahi sakta"

"Ae ji ab iska kya karenge" .... "Karna kya hai Sumitra, humne iski jaan bachayi, ab hum iske malik huye, ghar aur khet ka kaam dekhega"


________________________________



Yaden kuch jab saaf hui .......

Ek bada sa alishan ghar, ek lambe kad-kathi ka bridhh aadmi... Thakur Mahendr Pratap Singh.. Patni Sumitra Devi, do ladka ... Bada Raghvendr Singh, chhota Arjun Singh, ek ladki Payal Singh jo Raghvendr se chhoti aur Arjun se badi thi .........



Bade robdar awaz me thaur Mahendr Pratap ki awaz gunjti thi iss haweli me, aur unka hukum patthar ki lakiden. Rajasthan me kayi gawan aaj bhi aise the, jahan bade pariwaron ki aaj bhi tuti bolti thi ......


"Chhotu ... Bus stand jakar Raghvendr ko le aana" .... "Papa- Papa, main bhi bhai ko lane jaungi" .. Payal apne pita se badi utsukta me puchhti hui ...


Mahendr Singh.... Thik hai chali jana. Chhotu, Payal ka khyal rakhna ...


Chhotu bina kuch bole haan me sir hila diya... Aur chup-chap kheton par chala gaya apna kaam karne.


Anath bechara.. Kismat ne jispar jarra bhi raham nahi dikhayi thi... Maa baap ko dakuon ne dushmani se maar diya, aur chacha ne jamin ki lalach me pahariyon se fek diya....... Dhundhli yadon me bas itna he tha.. Aur jab hosh aaya to .. Khud ko Thakur Mahendr Singh ke yahan paya.


Ek chhote se kamre me rahta tha, bahri dunia se koi talmel nahi, siaway Payal ke. Payal ke dono bhai bachpan se he bahar sahar me rah kar padh rahe the, Payal thakuron ki ladki thi isliy usse apne se chhote logon se mel-jole ki katai izazat nahi thi, aur gawn ke school me jitni takuron ki ladki thi sab ki sab ghamandi. Jabki Payal me na to ghamand tha aur na he ghamndi log pasand the.


Payal chhotu ko bilkul apne chhote bhai ki tarah manti thi, aur Payal ke dil me chhotu ke liye kaphi mamta aur pyar bhara tha. Chhotu ke liye bhi bahri duniya ka jo ek matr sampark tha wo bas Payal he thi jis se wo thoda bahut baat karta tha... Bankiyon se naa ke barabar he.


Chhotu kheton me pani dalwakar wapas aaya, Payal bahut der se uska intzar kar rahi thi ... Aur kaphi gusse me thi ...


Payal..... Chhotu kahan tha itni der, khane ka dhyan nahi raha tujhe....

Kuchh der shanti rahi ........

Payal.... Ab chup-chap kyon khada hai.. Jaa hath muh dho kar aa.


Khana khane ke baad ... Payal usse apne kamre me le gayi ... Ye chhotu ke padhne ka samay tha, roj khana khane ke baad Payal do ghante usse padhati thi aur kuch task bhi deti thi jo chhotu ko kal iss waqt tak pure kar ke lane hote the. Ye inke roj ke dincharya me tha. Aaj bhi kamre me aate he Payal ne copy par kuch sawal likh kar diye ...


Chhotu usse hal kar ke copy aage badhate huye .... "Ho gaya didi"


Payal khusi se uake sir par hath ferti hui ... Tu to bada hoshiyar hai chhotu, tumhari padhayi dekhte huye ab main tumhe 10th std me promote karti hun ...


Chhotu bas sir hila kar "haan" ka ishara kiya ....


Payal.... Kuch baat bhi kar liya kar mujh se, aisa lagta hai main akeli he bole ja rahi hun.


Chhotu... Kya baat karun didi ?


Payal.... Achha sun, jakar taiyar ho kar aao, chalte hain Raghvendr bhaiya ko lene.


Chhotu.... Kapde to pahne hai maine di.


Payal.... Wo jo maine paint shirt diye the na naye wale wo pahan kar aao, aur haan pahle naha lena.


Chhotu "haan" me sir hilata hua apne kamre me chala gaya. Takriban aadhe ghante baad chhotu taiyar hokar aaya.. Usse dekh kar Payal thodi muskurayi aur kahne lagi ... Hmmm ! Ab hero dikhta hai bilkul, chal...


Chhotu ne car nikali aur chal pade dono gawn ki kachi sadkon se hote huye ....

Payal... Chhotu sun bhaiya ka bus aane me abhi kaphi samay hai, chal Mangla ke ghar pahle.


Car Mangla ke ghar ke aage ruki, aur dono pahunche uske ghar....... Chhotu bahar he khada raha, aur Payal apni saheli Mangla se milne chali gayi. Thodi der baad dono khil-khilati hasi ke sath bahar aayi aur chhotu ko sath liye kheton ki ore chal pari. Raste me jo bhi Payal se mila, sir jhuka kar salam kiya.


Dono ek jhopdi ka najdik pahunche, Payal ne chhotu ko bahar nigrani karne ka bol kar dono ander chali gayi...


Payal... Haan ab bata, baat kya hai ?


Mangla..... Payal tu to janti hai mujhe aage padhna hai, par gharwale mujhe shadi ke chakkar me phasa rahe hain, main kya kroon kuch samjh me nahi aa raha. Upar se rista bhi tere papa ka laya hua hai. Ab unki baat ko kaun na kah sakta hai.


Payal.... Badi gambhir samsya hai. Baat tere papa ki hoti to main apne papa ko bol kar koi chakkar chala leti. Par mere papa ko kaun samjhaye. Waise ladke wale dekhne kab aa rahe hain tujhe.


Mangla.... Char din baad aa rahe hain.


Payal... Thik hai aaj raat kuch sochti hoon, filhaal jane de bhaiya aa rahe hain.

Baat jaldi se samapt kar, Payal bus stand nikal gayi, bus aane me ab bhi thodi der thi. Car se utakar payal ek dukan se pani bottol li aur wahin khadi hokar pine lagi.....


Nukkad par kuch ladkey khadey the jo sayad bahar se aaye the aur thode awara kism ke bhi the.. Un me se ek ne jab Payal ko bottol utha kar pani pite dekha, to uss se raha nahi gaya, aur usne abhadr tippani kar di .....


"Dekh dekh golai, kitni mast hai, aise lag rahe hain jaise do aam kamij me dawa kar ghum rahi hai. Hayy isse dekh kar to aam khane ka mann ho gaya".


Aaj tak kabhi aise mahol me Payal gayi nahi, bus stand pahle bhi kayi baar aa chuki thi, lekin iss se pahle aaj tak kabhi kisi ne aisi abhadr baten nahi ki thi. Payal ko mano jaise rona aa gaya ho, aur dab-dabayi aankhon se wo car ki ore chal di.


Chhotu car ke pass he khada tha, aur Payal ke aanshu uss se chhipe nahi. Payal ke car me baith'te he usne car ka darwaja lock kiya, Payal ko ander he rahne ki hidayat di, aur sidha pahuncha dukandar ke pass.
 
.
Moderator
2,372
1,837
143
Update 7

Dukandar dekhte he samjh gaya Chhotu kyon aa raha hai uske pass. Bina koi sawal ke he usne ungli un ladkon ke ore kar diya. Chhotu ne najar ghuma kar idhar udhar dekha. Dukan me usse ek danda dikha aur chhotu ne ishare se wo danda dukandar se manga.


Danda lekar badi teji se pahuncha, aur bina kuch kahe sune ek danda ek ladke ke sir par de mara. Sir phat gaya aur wo wahin behosh. Khun dekh kar bakiyon ki haalat kharab ho gayi. Wo kuch sochte uss se pahle he sab ke upar dande barsne lage.


Panch ladkey the, aur jabtak koi bhi harkat me aata uss se pahle he chhotu ka danda sab ko par chuka tha. Sab ladke karrah rahe the aur uspar dande baras rahe the. Sukr thi bus stand me police aa gayi.


Police ne chhotu ko pakad kar side kiya aur pachon ladke ki haalat dekhi. Kisi ka sir phata tha, to kisi ke hath paun toote the. Chuki chhotu Mahendr Singh ka aadmi tha isliye police bas usse shant karne me lagi thi, aur un pachon ko jaldi se jeep me bhad kar uss jagah se hataya....


Chhotu ne jab pahle ladkey ko mara tha, ussi waqt Raghvendr ki bus bhi aayi thi. Raghvendr bas khada hokar wahan ka najara dekh raha tha, aur soch raha tha, desh kahan se kahan pahunch gaya aur gawn ab bhi ussi jagah par atka hai.


Char-char police wale lage the chhotu ko sambhalne me, lekin Payal ke aanshu dekh uspar mano khun sawar tha, aur wo kisi ke kabu me nahi aa raha tha. Tabhi Raghvendr uske pass pahuncha aur khinch kar ek tamacha mara chhotu ko...


Tamacha parne ke baad jab chhotu ne marne wale ko dekha to bilkul shant khada ho gaya.


Raghvendr.... Chalen ab, ya tujhe aur mar-pit karni hai.


Chhotu kuch nahi bola aur chup-chap car ke pass aa gaya. Payal car se ye pura tamsa dekh rahu thi, aur pichhe shant baithi thi. Chhotu car lekar ghar ki ore rawana ho gaya.


Ragvendr, Payal ko ek ghari dete huye uss se haal-chal puchne laga. Lekin Payal ne na to ghari dekhi aur naa he apne bhai ke kisi bhi sawal ka jabaw di...


Raghvendr..... Ab tumhe chhotu wali bimari kab se lag gayi. Meri baat ka kuch to jabaw de.


Payal iss baat ko bhi ansuni kar ke bas aage ki ore dekhte rahi. Raghvendr samajh chuka tha ki kyon Payal naraj hai. Koi chhotu ko uske samne kuch ulte sabd bole ya mar de ye Payal kabhi bardast nahi kar sakti thi. Chhotu ko bol kar Raghvendr ne car rukwayi, aur dono ke samne khadey hokar maphi maagi, tab kahin jakar Payal ki narajgi dur hui.


Kuch der me sabko haweli chhorne ke baad Chhotu phir se khet par nikal gaya. Agli subah Raghvndr, Chhotu ke sath bus stand nikla, raste me ek sunsan jagah par car rukwate huye, Raghvendr utra aur cigerattee nikalta hua pine laga.


Do kas sukoon se khinchne ke baad cigerattee Chhotu ki ore badha diya, par Chhotu chup-chap pichhe hath bandhe khada raha aur "naa" me sir hila diya.


Raghvendr.... Abbe O' putle kabhi-kabhi bol bhi liya bhi liya kar. Khair chhor thujh se kahne ka koi fayda nahi. Bas ek he kaam aata hai, chhati chauri kar ke khada rahna. O' bhai main yahan musibat me hun kuch sujh nahi raha hai aur main kitna asahay hun, kisi se kah bhi nahi sakta.

"Mujhe ek ladki se pyar ho gaya hai, aur wo pagal mere pichhe-pichhe yahan tak aa rahi hai. Main kya karoon mujhe kuch samajh me nahi aa raha. Tu sun raha hai na, main bhi kahan patthar se sir pit raha hun. Tujh se kisi baat ki ummid he baimani hai. Do he to kaam aate hain, kheton ko dekhna aur logon ko phodna".


Chhotu.... Didi se baat karo, wo hal bata degi.


Raghvendr pahle apni aankhen miza, usse yakin he nahi ho raha tha ki Chhotu ne uski baton ko samjha bhi aur sath me jabaw bhi de raha hai..... Bade aschraya se dekhte huye...

"Tumne abhi-abhi kya kaha Chhotu" ?


Chhotu ne phir wahi baat dohraya...... Didi se baat karo, wo hal bata degi.


Ragvendr khush hota usse gale laga liya aur Payal ko yahan lekar aane ke liye kaha. Chhotu, Raghvendr ko wahin chhor kar mahal wapas gaya aur Payal ke pass ja kar kada ho gaya....


Payal.... Aa gaya bhaiya ko ghuma kar, par bhaiya kahin dikh nahi rahe.


Chhotu... Aap ko bula rahe hain, bus stand ke raste me khadey hain.


Payal.... Baat kya hai Chhotu, aur tu unhe wahan kyon chhor kar chala aaya.


Chhotu.... Jyada pata nahi, bas padesan the to maine aap se madad mangne ke liye bola aur ab aap ko bula rahe hain.


Payal apni maa ko bata'ti hui Chhotu ke sath chali gayi... Raghvendr wahin sadak ke pass khada tha, uske chehre se uski padesani saaf najar aa rahi thi.


Payal.... Baat kya hai bhaiya, aap thode padesan dikh rahe hain.


Raghvendr.... Payal main bahut badi musibat me hun, please kuch solution batao.


Itna kahne ke baad Raghvendr ne apni prem kahani ki baat suna di, sath me uski premika Veena abhi pahunch rahi hai gawn uss se milne, aur kuch din sath rahne.


Payal apni aankhen badi karti apne bhai ko dekhne lagi...


Raghvendr..... Ab tu please aise to mat dekh, mujhe kuch sujh nahi raha. Upar se jab bhi Veena ki baat sochta hun to papa ka chehra samne aa jata hai. Kuch to madad kar apne bhai ki.


Payal.... Iss mamle me main aap ki madad kar sakti hun aisa socha bhi kaise aap ne.


Raghvendr.... Mujhe to khyal bhi nahi aata, par Chhotu ne idea diya ki tu meri madad kar sakti hai. Bol na karegi na madad apne bhai ki.


Payal, Chhotu se jabaw talab karti..... Chhotu tu janta bhi hai ki bhai kis bare me madad maang rahe hain.


Chhotu.... Ji nahi maloom, khud se baat kar rahe the, thode padesan bhi the, to mujhe laga aap se baat karenge to aap inhe kuch hal bata sakti hain.


Raghvendr...... Dekh ab to yakin hua na, ki mujh se jyada Chhotu ko yakin hai ki tu meri madad kar sakti hai.


Payal... Ji nahi bhaiya. Usse bas aap padesan dikhe, aur wo sayad aap ki bakwas se bore ho gaya tha, isliye usne apna sir dard mujhe de diya.


Raghvendr.... Ye akdu bore bhi hota hai.


Payal.... Kya wo insan nahi, kya usse kuch bhi feel nahi ho sakta. Aise he kal usse bewajah aap thappad mar diye bina jane.


Raghvendr... Meri pyari bahan kal bhi manga tha maafi ab bhi dono se mangta hun. Ab kal kya hua, pados me kya ho raha hai, in sab ki charcha chhor kar kya tum mere samsya par gaur karogi...


Payal..... Huhhh ! Aap ne he Chhotu ko akdu bol kar idhar udhar ki charchayen shuru kiye ?


Raghvendr.... Tu aur tera Chhotu, wahi to bas tera bhai hai na, main to kuch bhi nahi tera.


Payal..... Achha thik hai, rona band karo aur chalo pahle chal kar unhe late hain.


Teeno bus stand pahunche, Veena ki bus pahle he aa chuki thi. Car se utarkar Raghvendr, Veena ke pass pahuncha jo sayad thodi gusse me thi....


"Kitni der laga di, main kab se aap ka intzar kar rahi hun"... Veena apne gusse ka izhar karti barsne lagi. Dabi aankhon se Raghvendr apne dayen bayen ishar kar batane ki kosis me laga hua tha ki..... "aur bhi log hai yahan"


Veena... "Aap mujhe yun-yun ishara kyon kar rahe ho, nahi hoti shant main. Ek to exam khatam ho ne ke baad bina bataye yahan chale aaye, aur main yahan aayi to aap mera pahle se intzar karne ke badle late aaye".

"Aap late kya aaye aisa laga jaise mere armaan ko kisi ne badi berahmi se, apne paun tale raund diya ho. Kaise-kaise khyalaat the, jab main bus me baithi soch rahi thi. Aap mera intzar kar rahe honge, mujhe dekhte he daur kar mere pass aayenge aur mujh se lipat kar I Love You kahne lagenge".

"Par nahi, main he pagal hun jo sapne dekhti hun aur apne bikhre armano par do line bol kya di chup rahne ka ishara kar rahe ho. Ek kaam karo thoda zehar he la do, hamesa ke liye mujhe shant kar do".


Gawn ka bus stand, log he kitne honge, aur upar se ek ladki yun chilla-chilla kar kisi par baras rahi ho to, logon ka dhyan uss ore khichega he. Sare log bas unhi sab ko dekh rahe the.... Payal ne jab ghurte chehre dekhe, tab apni chuppi todti hui Veena se kahne lagi...

"Hello Veena, main hun Payal, inki chhoti bahan"


Veena ne jaise he Payal ke bare me suni, fudak kar uske gale lag gayi, aur phir ek baar fir apna fm on karti hui chillane lagi ....


"Payal bhi aayi hai, pahle nahi bata sakte the. Ab wo kya sochegi, main aap ko bas dant'ti rahti hun, main aap se pyar he nahi karti na. Yun yun aankhen idhar udhar kar sakte ho, muh se bol nahi sakte. Aap to chahte ho mera mazak bane har jagah. Bahut he dust ho, jao mujhe nahi karni koi baat aap se".


Kitna react karti thi har baat par Veena, aur uska yun chilla kar baat karna. Veena ke haw bhaw jab Payal dekhi to apni bhai se najre milati "naa" me sir hila di .... Payal ke chehre ke bhaw aise the jaise kahna chah rahi ho ..... Mujhe mat phasao, papa se tum khud nipto.....
 
.
Moderator
2,372
1,837
143
Update 8

Kitna react karti thi har baat par Veena, aur uska yun chilla kar baat karna. Veena ke haw bhaw jab Payal dekhi to apni bhai se najre milati "naa" me sir hila di .... Payal ke chehre ke bhaw aise the jaise kahna chah rahi ho ..... Mujhe mat phasao, papa se tum khud nipto.....


Payal aage jakar car me baith gayi, Payal ke jate he, Raghvendr ne bhi Veena ko chalne ka ishara kiya, aur dono aakar car ki pichhli seat par baith gaye.... Chhotu car ko ghar ki ore le chala.


Veena.... Kitna chhota driver rakha hai, iska driving licence to hai na.


Raghvendr...... Iska licence, I'D card ata-pata sab Thakur Mahendr Pratap hain, yani ki mere pita. Bas iss ilake me unka naam he kaphi hai.


Veena.... Par ye to illegal hai.


Payal.... Aap ke pass hai kya bhabhi driving licence.


Veena.... Hayy ! Payal ne mujhe bhabhi kahi, mare khusi ke kahin main mar na jaun. Suniye ji ab to main apne sasuraal me he rahungi, kahin nahi jaungi.


Veena ki baat sunkar Payal ke muh se hasi chhut gayi.. Haste huye Payal kahne lagi.....


"Aisa to bas shadi ke baad he sambhaw hai. Meri rai mano to aap agli bus se wapas chali jao, nahi to papa ko pata chala ki aap shadi se pahle bhaiya se milne aayi ho, to aap ka patta saaf".


Veena..... Arre aise kaise patta saaf ho jayega. Aap kuch kahte kyon nahi.


Raghvendr..... Main kya kahun, tum aur tumhari jid hum dono ko le dubegi. Mana bhi kiya tha ki yahan ka mahol sahar ke mahol se pura ulta hai, par tumhe to har jagah ek si lagti hai. Aur kya kahi thi, hum 21th sentury me hain, aur desh ka koi gawn itna pichhda nahi.


Veena... Main kya karti jaan, tumhe na dekhti thi to rona aata tha, main tumhe ek pal ke liye bhi dur nahi dekh sakti. Manti hun thodi alhad hun, par main nahi rah sakti aap ke bina. Mujhe khud se dur mat karo, jo bologe wo karoongi, jaise kahoge waise rah lungi, par please mujhe jane ke liye mat kaho.


Payal..... Heee heee heee, jaan. Waise ek baat bata dun ki aap dono ki he jaan nikalne wali hai, kyonki jaise he ye baat pata chala ki bhaiya apni masooka ko yahan le aaye hain, ussi pal mere aashiq bhai ki jaan to gayi samjho.


Raghvendr..... To tu kis din kaam aayegi, kuch soch na payal, apne bhai ka itna khyal nahi rakh sakti.


Payal..... Dimag par jor dalne ka mujhe kya inaam milega, pahle ye batao


Raghvendr..... Tujhe kya chahiye.


Payal...... Mujhe sahar ghumna hai, bolo manjoor hai to kuch sochti hun.


Raghvendr.... Bas itti si baat, pagal tujhe sahar ghumna tha to pahle kyon nahi batayi, uske liye tujhe kya puchhna padega, thik hai main wada karta hun ki tumhe pura sahar ghumaunga.


Payal....... Thik hai ruko kuch sochti hun...


Kuch der ki khamosi ke baad, Payal kahne lagi..... Ek kaam karo bhaiya, main isse apni dost bana leti hun jo kuch din yahin gawn me padhi, phir sahar chali gayi padhne. Aaj lauti hai aur mujh se milne aayi.


Raghvendr.... Not bad idea Payal, par dost hai to milkar chali bhi jayegi na, thode na 10 din rukegi.


Payal..... Kya, 10 din, na baba mujhe nahi parna iss jhamele me, mujhe laga 1,2 din ki baat hai. 10 din me pata nahi kahin ye bhed khul gaya to aap ko to thoda bahut dant padegi, par "main jante huye bhi sab kuch papa se jhoot boli", iss baat ke liye to wo mujhe kala pani ki he saza de denge.


Veena.... Main to kab se inhe apna pati maan chuki hun, ab batao bina inke main kaise rahun. Mera to dard samjho na Payal, please. Kaho to main tumhari paun parti hun, par mera sahara ban jao. Koi to tarkib batao humare sath rahne ki.


Chhotu chup-chap shant sun raha tha, usne dhire se kuch baat kiya, Payal muskurati huyi uska gaal khinch li.


Raghvendr..... Kya ??????? Koi mujhe bhi kuch batayega, ya aapas me he muskurate rahoge.


Payal.... Chhotu kah raha tha, bhabhi kabhi sunder hain, aur aap se bahut pyar karti hai.


Veena ka chehra dekh kar he, Raghvendr ne apna hath utha diya aur kahne laga .... "Chup, abhi koi over react nahi, aur shant baitho thodi der".... Phir Payal ki ore dekhta hua.... "Chhotu, aur ye kaha, isse samjh me bhi aata
hai ki pyar kya hota hai"


Payal apni aankhen dikhati hui.... Huhhh ! Aap bahut samjhdar ho na bhaiya, achhi baat hai, par dusron ka mazak to mat urraya karo. Rahi baat samjhdari ki to sahi kaha aapne chhotu ne mujhe wo baat nahi kahi, balki usne kaha..... "Inhe aap sahar se aayi koi survey wali bana dijiye, jaise kabhi kabhi sahar se log aate hain. Babuji to unhe apne ghar he thahrate hai na"... Sun liya samjhdari bhi.


Payal phir aaj chhotu ko lekar gussa ho gayi thi, Payal ko gusse me dekh Chhotu ne apne aankh sikod kar Payal ko dekha aur "naa" me gardan hilane laga. Payal uska ye natkiya dhang dekh kar hasne lagi. Sab log fir plan ko aur pukhta karte huye ghar pahunch gaye.


Ghar par thakur sahab nahi the, maa ne nayi ladki ko dekhte huye Payal se puchhne lagi... "Ye kaun hai beta"


Payal kuch bolti, uss se pahle he Veena aage badh gayi, Sumitra devi ke paun chhuti hui kahne lagi.... Maa ji main yahan ke khet ki mitti ke upjaupan par research aur survey karne aayi hun.


Sumitra devi ne pyar se uske galon par hath ferti.... Tum to bahut pyari ho beta. Kya naam hai tumhara.


Veena.... Ji Veena


Sumitra devi.... Sun chhotu, jabtak inka kaam nahi ho jata, inko koi padesani na ho, aur ye mehmaan hain humari, dekhna koi taklif na ho.


Raghvendr.... Ye to humari mehmaan hai maa, main hun na, inko koi padesani nahi aane dunga.


Sumitra devi.... Tu kya gaun ka chappa chappa janta hain, suna nahi inhe kheton aur mittiyon ka kaam hai, tu rahne de chhotu dekh lega. Waise bhi thode din ke liye aaya hai, maa ke pass rahega ya ab bhi mujh se he dur.


Niras sa muh lekar, chhotu aur Payal ki ore dekh raha tha Raghvendr, mano abhi ro dega, pass ho kar bhi ye duriyan. Chhotu apne kaam par chala gaya, aur idhar Raghvendr tukur-tukur bas jab mauka milta chori se Veena ko he dekhta rahta.


Chhotu din me khana khane aaya, aur apne dincharya ke hisab se padh kar phir wapas kheton ke kaam par jane laga, par Payal usse tokti hui, "chhotu Veena ji ko bhi leta ja, unhe kuch kaam hoga, tum bagiche ke aage wali khet dikha dena". Chhotu haan me sir hilata hua wahin khada ho gaya.


Jab Raghvendr ne Veena ka naam suna to uske kaan khadey ho gaye. Wo bhi jaldi se apne kamre se bahar aaya aur mansa aisi thi ki wo bhi chhotu ke sath khet dekhne jana chahta hai. Payal ne ek sharart karti hui bol uthi... "Maa bhaiya kab se aaye hain, aur pura din ghar me akele rahte hain. Ab unse baith kar kuch baten bhi karogi ya rasoi me he rahogi. Mujhe to sahar ki kahani sun'ni hai".


Sumitra devi.... Raghvendr kahin bahar ja raha hai kya, roko usse subah se ghum raha hai. Paun me to jaise pahiye lage ho. Arre ruk beta gajar ka halwa banaya hai.


Itna kah kar Sumitra devi jaldi se bahar aayi, aur apne bete ka hath pakad kar bitati hui, gajar ka halwa pdos di. Baki sab logon ko bhi Sumitra devi ne gajar ka halwa khilaya. Khate waqt bhi Raghvendr bas chor najron se Veena ko dekh raha tha, aur dekh kar apne najron se pyar bikher raha tha.


Kha kar chhotu ne Veena ko "chalne" ke liye bol kar aage badh gaya. Veena mayus najron se Raghvendr ko ek baar dekh kar chhotu ke pichhe-pichhe chal di. Idhar wahin baith kar Payal aur maa dono ne sahar ki baat chher di, par Raghvendr ka mann kahan lag raha tha ab baton me, Payal ne unhe mila kar bhi tarpa rahi thi.


Raste me chhotu chup chap aage chal raha tha, aur Veena pichhe-pichhe. Veena teji se do kadam aage badhi aur chhotu ke sath ho gayi.... To chhotu ji kuch hume bhi iss gawn ki kahani bataeye.


Chhotu.... Main bas apna kaam karta hun, mujhe nahi pata yahan kya hota hai.


Veena.... Par aap ki umar ke ladkey to ghumte firte, aur mauj masti karte hain.


Chhotu bina koi jabaw diye aage chalta raha, Veena ko bada ajib laga. Veena chalte huye bas usse observe karne lagi. Yahi koi 200 meter sath chale honge, ek gawn wale khada tha, chhotu uske pass gaya, apne jeb se usse kuch paise diye aur wo chala gaya.


Kuch dur aage badhi to dekhi, chhotu ek ghar ke pass ruka, bahar ek maa apne bache ke sath thi, uske pass gaya,
apne jeb se usse kuch paise diye aur wo chala gaya.


Kuch dur aage badhi to dekhi, chhotu ek ghar ke pass ruka, bahar ek maa apne bache ke sath thi, uske pass gaya, bache ke sir par hath fera, aur bas ek line bola, "kitne majdoor the"... Usne 20 kahi, aur wo usse paise nikal kar de diya.


Kheton ke pass pahunche dono, tab ek ladki pichhe se jor se boli.... Chhotu, idhar bhi dekhta ja ek najar, chhotu uski baat bhi ansuni kar ke chala gaya. Khet ke pass khadey hokar ek jhalak charo ore dekha aur aage badh gaya.


Kuch der wahan rukne ke baad aam ke bagiche wale khet ki ore chal diya. Thodi he der me dono bagiche ke pass wali khet me the. Thodi der rukne ke baad...


Chhotu.... Chalen wapas.


Veena.... Suno tum itne chup-chup kyon rahte ho.


Chhotu... Nahi, baat to karta hun.


Veena... Par ye normal baten thode na hui, tum bas kaam ki baten karte ho aur phir chup. Tumhara koi dost ya gf to nahi.


Chhotu..... Nahi kabhi jaroorat mehsus nahi hui...


Itna kah kar chhotu aage badh chala, Veena ko laga ki iski umar aisi hai ki isse jaroor kisi se pyar hua hoga, aur wo ladki isko dhoka dekar chali gayi hogi, kachi umar hai bechara ye sadma bardaast nahi kar paya hoga, aur sab se kata-kata rahta hai.
 
.
Moderator
2,372
1,837
143
Update 9

Itna kah kar chhotu aage badh chala, Veena ko laga ki iski umar aisi hai ki isse jaroor kisi se pyar hua hoga, aur wo ladki isko dhoka dekar chali gayi hogi, kachi umar hai bechara ye sadma bardaast nahi kar paya hoga, aur sab se kata-kata rahta hai.


Dono ghar pahuche, maa-beti, yani ki Sumitra devi aur Payal ab bhi ghere thi Raghuvendr ko, Raghvendr bujha sa chehra liye bas unki baton me "haan, hunn" kar raha tha. Gate se aati kadmon ki aahat se sab Veena aur chhotu ki ore mud gaye, Veena jab Raghvendrki haalat dekhi to thodi muskura di, aur apne mehmaan khane me jane lagi.


Sumitra devi.... Yahan aao beti, thodi der humare sath bhi baith lo.


Veena unke pass badi khusi se baith gayi, aur baith'ti bhi kyon nahi, aakhir saas, nanad aur patidev jo wahan baithe the.


Payal.... Bhiaya achha ye batao, aap aur Veena ji ek he sahar ke ho kya kabhi aap dono wahan pahle mile ho.


Payal ki baat sun kar to Raghvendr shocked ho gaya...... "kahan ye hum dono ko milane layi hai, aur kahan ye he humara bhanda phod alag karne ki chahat rakhti hai". Wahin dusri ore Veena pyari si muskan ke sath sochne lagi... "Achha hai Payal, sab ko pata chal jaye to humari shadi jald ho jayegi"


Raghvendr habrata hua pani pite huye kahne laga.... Sahar bahut bada hota hai, mujhe nahi lagta hum pahle kabhi mile hain.


Veena.... Par main to mil chuki hun Jaipur city me aap se.


Raghvendr ko aisa laga jhatka laga mano shocked hokar behosh ho jayega... Sumitra devi Raghvendrko ghurti hui kahne lagi..... "Kyon beta, tum to kah rahe the koi mulakaat nahi hui, par Veena to kah rahi hai dono mil chuke ho, baat kya hai, aur tum itne ghabra kyon rahe ho".


Raghuvendr .... Haaa haa, haaa ... Main kab ghbraya maa, aap bhi na kuch bhi kahti hain, aur mujhe nahi lagta ki hum pahle kabhi mile bhi hain, aur mile bhi ho to yaad nahi.


Payal.... Achha, aap koi Jaipur ke raajkumar ho ki aap se milne walon ki line lagi rahti hai daily. Huhhhh ! Mila bhi hun to yaad nahi, aap se to baat he karna bekar hai. Veena ji aap batao kaise mile.


Raghuvendr ..... Maine kah diya na ki hum nahi mile, phir iss baat par tul dene ka kya matlab hai.


Raghvendrki baton se kahin na kahin ek chir-chirapan hone ke bhaw jhalak rahe the.


Payal.... Aap se thode na puchhi bhaiya, jis se puchhi usko jabaw dene dijiye na.


Sumitra devi..... Haan Payal sahi kah rahi hai, tum bolo beta.


Veena.... Heee heee, main to bas inka reaction dekh rahi thi, maine jhoot kaha tha, hum nahi mile kabhi pahle. Waise ek baat puchh sakti hun kya ?


Sawaliya najron se iss baar Raghvendrne ghura, aise jaise kahna chah raha ho, "meri maa koi gul mat khila dena"


Sumitra devi... Haan beta puchho na.


Veena.... Ye chhotu aap ka naukar hai kya ? Aur wo itna chup kyon rahta hai ?


Payal ko naukar wali baat bilkul achhin nahi lagi, wo thodi mayus ho gayi, par Veena ko kuch kah bhi nahi sakti thi, isliye chup he rahi.


Sumitra devi.... Bahut chhota tha, jab thakur sahab isse lekar aaye the. Dekhne walon ka apna najriya hai, lekin humne isse naukar kabhi nahi samjha. Rahi baat chup rahne ki, to iski guru Payal hai wo he bata sakti hai kyon ye itna chup-chup rahta hai.


Payal..... Aap bhi na maa, guru nahi hun uski bahan hun main. Mere bhai jaisa hai wo. Wo bas nahi baat karna chahta kisi se. Lekin sabse samjhdar aur hoshiyar hai wo.


Raghuvendr .... Mujh se bhi jyada samjhdar hai kya ?


Payal.... Maine comapair nahi ki bhaiya. Bas itna kahi ki samjhdar hai.


Raghuvendr .... Haan main dekhi hai samjhdari, bhondu guru ki kam akal sagird. Ha ha ha ha.


Payal.... Maaaaa, bhaiya aise bolenge to main chali jaungi.


Sumitra devi..... Wo to bas mazak kar raha hai payal, tujhe chidha raha hai.


Raghuvendr...... Haan sach kadwa hota hai maa, koi nahi sun sakta.


Apni baat kah kar, Ragvendr hasne laga. Mahol thoda serious ho gaya tha, kyonki Payal ko ek aankh na bhaya, apne bhai ka iss tarah se kahna, aur wo kamoshi ke sath wahan se uthi, aur apne kamre ki ore chal di. Thik ussi waqt Takur Mhendr sing ki gari aakar ruki. Apne boot ke tej thpon ke sath wo ander aaye.


Sabko ek jagah baitha dekh kar wo bhi wahin baith gaye, ek jhalak sab ko dekhe aur Sumitra devi se sawal karte huye.... Sumitra, Sab yahan hai, Payal kahan hai ?


Sumitra devi... Ji wo abhi gayi hai yahan se, abhi bulati hun... Payal, Payal


Mahendr Singh .... Raghvendr kab aaye aur ye ladki kaun hai ?


Raghuvendr .... Papa main to kal he aaya, aur ye koi survey department se hai, aaj aayi hain yahan.


Mahendr Singh ..... Ohhh ! Aap survey karne aayi hain. Waise kis baat ka survey kar rahi hain.


Veena.... Uncle main mitti ke upjaupan ka test aur uski report lene aayi hun...


Mahendr Singh..... Chhotu yahan aao...


Chhotu jo ek kone me chu-chap khada tha, wo bhi wahan aa gaya, pichhe se Payal bhi wahan pahunch gayi, apne papa ko dekh, wo wahin chup-chap baith gayi.


Mahendr Singh .... Chhotu ye le cheq kal bank chale jana, aur jitne paise chahiye iss mahine ke liye nikal kar le aana. Ruko, ye do cheq aur rakho, ek kaam karna, jitne paise lagne hain iss mahine, uss se kuch jyada nikal lena, aur do cheq apne pass rakhna, ye pura mahina main bahar rahunga, to jaisa bhi jaroorat ho nikal lena.


Chhotu "ji babuji" kahta hua wo cheq liya aur phir se ek kone me jakar khada ho gaya....


Mahendr Singh .... Payal sab yahan hain, ghar me ek mehmaan aaye huye hain, phir bhi tum apne kamre me kya kar rahi thi.


Payal.... Abhi he gayi thi papa, main to yahin baithi thi.


Mahendr Singh .... Hmmm ! Thik hai, suno inka khyal rakhna tumhara kaam hai, inko jo bhi jaroorat ho sab puri kar dena.


Payal.... Ji papa.


Mahendr Singh .... Beti tumhe yahan koi taklif to nahi.


Veena... Ji nahi uncle, aap sab bahut achhe hain, ek paraya jisko aap jante bhi nahi, uske liye itna kar rahe hain.


Mahendr Singh .... Hum bhi to paraye hain beta tumhare liye, phir tum kyon iss gawn me survey ke liye aayi, koi bhi report govt. ko de deti. Tum jo yahan ke bare me likhogi, govt. ki yojna ussi anusar hogi, jab tum humare gawn ke liye itna kar rahi ho to humara bhi kuch to farz banta hai.


Veena.... Kaash sab aap jaisa sochte uncle.


Mahendr Singh .... Baat soch ki nahi hai, yadi isse fayde aur nuksaan ke taraju me bhi dekhen to iss gawn ka fayda matlab sidha meta fayda, to kisi bhi hisab se socho, par kuch achha ho raha hai to hone do.


Veena... Kya baat hai uncle, aap ko to business management par article likhna chahiye.


Mahendr Singh ... Wo to padhe likhon ka kaam hai beta, tabhi to Raghvendr aur Arjun ko bheja hai padhne. Ye kuch naya sikh kar aayega aur humare business ko aage lekar jayega. Kyon beta ?


Raghuvendr .... Ji bilkul papa.


Mahendr Singh ... Wahan sab kaise hain Raghuvendr, aur Arjun ko nahi aaya.


Raghuvendr .... Papa uske exam shuru hone wale hain, wo agle mahine aayega. Waise papa ek baat main kab se puchhna chah raha tha.


Mahendr Singh .... Kaun si baat ?


Raghuvendr .... Papa chhotu ko itni badi jimmedari, sign kiya hua blank cheq de rahe hain ?


Mahendr Singh apni gusse bhadi aankhen dikhate huye.... Main normal hokar baat kar raha hun iska matlab ye nahi ki tum apni tahzib bhul jao. Tumhari bhasa chhotu ke prati ek virodh ki bhawna darsati hai. Kise kya dena hai aur nahi mujhe achhi tarah se samjh hai.


Sumitra... Shant ho jaeye ji, wo rahta he kitna hai jo yahan ke bare me pata ho.


Mahendr Singh ... To samjhao apne ladle ko, yahan ke faisle main he karta hun aur us faisle me mujhe kisi ka sawal-jabaw pasand nahi.


Gusse ke sath Mahendr Singh chale gaye, unke jate he wahan ka mahol bilkul sunn par gaya, sab ne apni-apni jagah chhor diya, aur apne-apne kamre me chale gaye.


Raat ke takriban 9 baje, Veena niche bagiche me tahal rahi thi, tahlte-tahlte wo pichhe ki ore chali gayi, wahan pahle se Raghvendr baitha tha aur cigerattee ke kas khinch raha tha. Veena ke liye ye ek sunhara awsar tha Raghvendrse se akele me milne ka. Dabe paun wo uske pichhe gayi, aur kano me "bhuhhhh" ka ek tej awaz ki.


Raghvendr chauk gaya, ek najar Veena ko dekha aur phir se cigerattee ki kas khinchne laga. Veena, Raghvendrke pass baith'ti hui, uske kandhe par apna sir tikaye kahne lagi..... Kya hua mere babu ko aaj inka mood itna upset kyon hai, jo mujhe dekh kar bhi andekha kiye ja rahe hain.


Raghuvendr .... Kuch nahi Veena, bas aise he. Mujhe yahan ghutan si ho rahi hai, hum kal he wapas chale jayenge.


Veena.... Aap bhi na, chhoti-chhoti baton ko dil se laga lete hain.


Raghuvendr .... Tum suni nahi kya mere hitlar baap ki baten, ek sawal he to puchha tha, aisa react kiye jaise aasman toot para ho.


Veena aankhen dikhati hui.... Hone wale sasur hain mere, huhhhh ! Badon ke faislon ka aadar kijiye.


Raghuvendr .... Ab tum bhi mat shuru ho jao please, aur ye sab tumhara kiya dhara hai.


Veena.... Main to aap ki dasi hun ji, mujh abhagan par itta bada ilzam kyon ?


Raghuvendr..... Kya jaroorat thi tumhe yahan mere pass ho kar bhi mujh se dur rahne ki. Janti ho mujh par kya bit rahi thi ?


Veena.... Achha ji, waise kya bit rahi thi jarra hum to sun le.


Raghuvendr ek shararti muskan ke sath aage badha... Aur usse bahon me lene ke irade se hath badhaya he tha, ki Veena usse rokti hui kahne lagi.... "Upar dekhiye, Payal hai. Hume he dekh rahi hai"


Raghuvendr harbadi me pichhe muda, aur Veena uss se dur bhag gayi.....


Raghuvendr.... Yahan mera dil tarap raha hai, aur tum mujhe Payal ke naam par dara rahi ho. Ruk abhi batata hun.


Veena hasti hui bagiche me daurne lagi, aur Raguvendr uske pichhe-pichhe daurta raha. Thodi he der me Veena, Raghuvendr ki bahon me thi. Dono hanf rahe the... Veena aur Raghuvendr dono bagiche me lage pattar par baith gaye.


Ab sayad Raghuvendr ko duri bardast nahi thi, aur usne Veena ko badi betabi se apni bahon me bhar liya....


Veena.... Ruko, ruko jaan, ek chhota sa doubt hai.


Natkiya andaz me latka sa muh lekar Raghuvendr kahne laga.... Ji ye romance break ka sawal jaldi puchh lijiye, warna kewal break he rahega aur romance gayab.


Veena.... Jaan mujhe lagta hai chhotu ki koi prem kahani thi, aur uss ladki ke sath chhotu ka break-up ho gaya aur tabhi se wo aise chup-chup hai.


Badi si aankhen kar Raghuvendr ne ek baar Veena ko dekha, phir aakash ko dekha... Aur apne sir par marte huye sochne laga.....


"Bhagwan iss ladki ke dimag me ye kaise-kaise logic dal dete ho, aur uss chhotu ke bache ko to main kal batata hun. Do baar maphi mangwaya kal se, meri gf ko ghumane le gaya, Payal se jhagra, papa se dant, aur kitni minnaton ke baad thoda akele milne ka mauka mila tha Veena se, ab yahan bhi chhotuuuuu. Tu to gaya ab beta, dekh kal tere sath kya karta hun".
 
.
Moderator
2,372
1,837
143
Update 10

"Bhagwan iss ladki ke dimag me ye kaise-kaise logic dal dete ho, aur uss chhotu ke bache ko to main kal batata hun. Do baar maphi mangwaya kal se, meri gf ko ghumane le gaya, Payal se jhagra, papa se dant, aur kitni minnaton ke baad thoda akele milne ka mauka mila tha Veena se, ab yahan bhi chhotuuuuu. Tu to gaya ab beta, dekh kal tere sath kya karta hun".


Veena.... Kya sochne lage ji, batao na chhotu ki bhi koi prem kahani thi kya ?


Raghuvendr .... Wo to kal Payal se puchhni paregi na, waise mujhe ye batao, tum abhi yahan kyon aayi ho?


Veena... Mujhe bhi cigerattee pini thi isliye pichhe aayi thi, do cigerattee ek sutta main bhi marun.


Raghuvendr .... Dekh raha hun tumhe, aaj kal bahut masti sujh rahi hai.


Veena.... Dekhte he to nahi main kya karun, aap ko to aaj kal bahut susti sujh rahi hai. Koi mere iss dil ka haal bhi puchhe, kitne armaan yahan dafan hote ja rahe hain.


Raghuvendr muskurata hua, Veena ko apni bahon me bharte huye, ek halki si funk se uske sir par aaye laton ko urrata hai, Veena ek pyari muskan bikhrti apne aankhon ko band kar leti hai. Raghuvendr apne honthon ko Veena ke hothon se mila kar aahista ek touch deta hai.


Dono ki sansen takrayi, aur dhadkane tej ho gayi, Veena ne kuch pal apni aankhen khol kar Raghuvendr ki najron se apni najar milayi, aur sharmakar apni palken niche kar jamin ko dekhne lagi. Raghuvendr thoda aage badha aur honthon ko chumte huye ghas par let gaya, aur uski bahon me Veena leti hui pyar ke iss pal me kho si gayi.


Veena, Raghuvendr ke sine par apna sir rakh kar upar chand ko dekhne lagi. Raghuvendr, Veena ke balon me hath ferte huye badi dhime aur madhur swar me bola .... "Aaj meri Veena inti shant-shant kyon hai"


Veena apni khoyi si awaz me kahne lagi... Bas jaan aise he sine sir rakh kar bas lete rahne ka mann kar raha hai. Kitna sukoon hai na yahan.


Raghuvendr .... Haan Veena, mujhe bhi kaphi sukoon sa mil raha hai.


Veena.... Hmmmm !


Dono ek dusre me khoye bas apne iss sukun ke pal kuch der yun he late kar gujarte rahe, tabtak jabtak ki wahan kisi ke aane ki aahat nahi hui. Jaise he dono ko laga ki koi aa raha hai, dono,ek dusre se alag ho gaye aur Veena ek per ki aar me chhip gayi.


Raghuvendr bhi bas kadmon ki aahat ki ore dekhne laga. Bagiche ke dusri ore se koi chala aa raha tha, jab chehra saaf najar aaya to ek baar phir Raghuvendr chidh gaya, uski itne pyare pal me khalal dalne wala aur koi nahi balki Chhotu tha. Bagiche ke anth me ek chhota talab bana tha, jisme roj raat ko chhotu nahane aata tha, aur aaj bhi wo apne roj ke samay ke hisab se nahane aaya tha.


Chhotu sidha talab me dubki laga diya aur nahane laga. Ragvendr ko chhotu ko maza chakhane ka ek behtrin upay sujha aur wo wahan se nikal kar sidha uske kamre me chala gaya, jo bagicha ke surwat me he tha. Raghuvendr chupke se uske kamre me dakhil hua aur wo cheq doondne laga.


Raghuvendr ko jyada mehnat nahi karni pari, samne ke table par he rakhe uske kapdon me cheq thi, usse liya aur chupchap apne kamre me chala gaya. Idhar nahakar jab chhotu bhige badan nikla, achanak he Veena, uske upar se nagan sarir ko dekh stabdh rah gayi.


Umar ke hisab se sarir ki banawat kaphi gathili thi, aur aakrshit karne wali bhi. Veena ko ab pakka yakin ho chala ki iss par to koi bhi ladki fida ho jayegi, phir ye chup-chup bhi rahta hai, iska ek he karan ho sakta hai, pyar aur nafrat.


Chhotu ke jane ke baad Veena bhi chali gayi wahan se. Chhotu jab subah bank se paise nikalne jane laga to Raghuvendr usse rokte huye.... Sun chhotu mera ek kaam karega.


Chhotu.... Ji kahiye


Raghuvendr .... Mera ye shirt press karwa kar la de.


Chhotu, Raghuvendr ke haton se wo shirt liya aur chup-chap chal diya dhobi ke pass, jabtak wo laut kar aata shirt dene tabtak Raghuvendr nikal chuka tha bank uss cheq ko withdraw karwane ke liye. Par bank pahunch kar Raghuvendr ko kuch bhi fayda nahi hua, kyonki gume cheq ki stop payment ka phone aa gaya tha chhotu ka, ulta bank walon ne Raghuvendr ko he pakad liya.

Bank ke manager ka phone aaya chhotu ke pass, aur usne sari baat bata di ... "Ki jis cheq par aap ka stop payment aaya hai, usse thakur sahab ke bade ladke yani ki Raghuvendr withdraw karwane aaye hain".


Chhotu usse 10 min rukne aur koi action na lene ka bol kar Payal ke paas chala gaya.


Payal.... Chhotu, iss samay tu yahan kya baat hai.


Chhotu.... Didi wo Raghuvendr bhaiya ne cheq mere kamre se chura kar withdraw karne gaye hain bank.


Payal.... Pagal ho gaya hai kya chhotu, tu kya bak raha hai ?


Chhotu.... Didi, raat mere kamre me cheq nahi tha, to subah maine bank manager ko stop payment ka bol diya tha, aur wahi cheq lekar Raghuvendr bhaiya bank gaye withdraw karwane, bank se he phone aaya tha. Puchh rahe the kya karna hai.


Payal.... Kya ? Bhaiya ne aisa kiya ? Bol de unko jo karna hai kare hum nahi jante.


Chhotu.... Jane do didi, kha-m-kha babuji padesan honge aur Raghuvendr bhaiya ko sharmindgi uthani padegi.


Payal... Par mujhe samjh me nahi aata ki bhaiya ko kya pagalpan sujhi, wo tumhe phasana kyon chahte hain ?


Chhotu... Sayad aap ne manphi mangwayi ye baat buri lagi ho, thehra to main naukar he na.


Payal..... Tu kuch jyada he bolne laga hai chhotu, dobara aisi baat ki to thik nahi hoga. Waise ho sakta hai bhaiya ko manphi wali baat buri lagi ho, thik hai unko bol de cheq pass kar de.


Chhotu ne bank phone kiya aur cheq pass karne ke liye kah diya. Raghuvendr jab aaya to Payal aur Veena dono usko gher li.


Veena... Ye sab kya tha ji, suna hai aaj kal aap masumo ko phasa bhi rahe hain.


Raghuvendr, Payal se kahte huye.... Tu kya ghur rahi hai, tujhe bhi kuch kahna hai kya ?


Payal.... Nahi bhaiya, main bas manphi mangti hun aap se, sayad aap ne hum dono se manphi mangi isliye aap ko bura laga aur aap ne ye kadam uthaya. Ghar me bair achha nahi. Chhotu ke rahne se papa ke gawn ka sara kaam ho jata hai, aur papa bahar ka kaam befikar ho kar dekhte hain, isliye usse yahan se nikalne ka khyal dil se nikal dijiye, uske jane se hume padesani he hogi.


Raghuvendr .... So sorry, tum dono se, main to bas thoda usse padesan karna chahta tha, paise to main usse he deta, par usse thoda padesan kar ke. Kyonki jab se aaya hun, usne mujhe padesan kar rakha hai.


Payal aur Veena dono ghurti hui.... Jarra batayenge ki kaise padesan kiya, na to kisi baat ka jabaw deta hai aur jo kaam bolo wo kar deta hai, phir aap ko kya padesani ho gayi.


Raghuvendr .... Kaise hui padesani... Suno... Jab aaya to do baar manphi mangwaya, meri gf ko ghumane le gaya, mujhe laga itna chhota hai, papa paison ki responsibility usse de rahe hain to ek chinta hui, ki usse abhi ye jimmedari nahi deni chahiye, aur ye umar bhi aisi hai ki log galat jaldi karte hain, wahan bhi papa se dant. Kal raat bagiche me Veena mili, socha pure din baat na ho payi hai thoda fursat se Veena se baten karunga, par Veena ne jaise he muh khola pahla naam chhotu. Bata kaise nahi kiya padesan.


Dono jor-jor se hasne lagi, phir issi hasi me Veena ne phir se apna sawal dohra di.... "Achha yaad dilaya inhone, Payal mera ek doubt hai chhotu ko lekar"


Payal... Kaisa doubt ?


Raghuvendr .... Ha ha ha, haan haan sun bhi lo kaisa doubt..


Veena.... Aap bhi na, Payal mujhe lagta hai chhotu ko kisi se pyar tha, aur jaroor un dono me kuch hua hai, aur chhotu tab se chup-chup rahne laga.


Payal haste-haste pagal ho gayi. Veena ki baat sun kar, uski hansi ruk he nahi rahi thi .... "Chhotu aur affair" .. Ha ha ha ha... Itni jor ki hasi thi Payal ki, Veena ko sochne par majboor kar di, ki aakhir maine aisa bol kya diya....


Veena... Kya hua Payal, aap hase kyon ja rahi hain..


Payal apni hasi ko kabu karti hui... Bhabhi, aap bhi na. Usse love affair jaise chijon se dur-dur tak koi wasta nahi. Pahar ki unchi choti se gir kar bacha tha wo, jab papa usse ghar lekar aaye, na to koi dost hua na he uske pass koi baat karne wala tha, jab se hosh me sambhala bas kaam, kaam, kaam ... Usne bhi apni tanhayi ko apni duniya bana li aur aise he jeena sikh gaya.


Kuch der pahle jo hasi thi Payal ke chehre par, wo chhotu ke bachpan ko batate-batate kahin gayab ho chuki thi. Kahin na kahin usse bhi iss ghar me khud ke akelepan ka ehsaas tha isliye wo chhotu ke dard ko bakhubi samjhti thi.


Veena.... Ohhh ! Sorry. Main bhi na kya se kya soch li. Main ek baat kahun, aap jab sahar aao to usse bhi le aana, uski body presonality aisi hai ki ladkiyan gir jaye uske kadmon me. Kya attrective aur muscular body hai chhotu ki.


Payal... Thuu, thuuu, thuuu, bhabhi najar na lagao mere bhai ki presonality ko.


Raghuvendr rone jaisa natak karte huye.... Ab Veena tum ne usski body kab dekh li, tu bata Payal, ye mere samne kisi aur ki tarif kare, main kyon na jalun. Tum sab kabhi-kabhi meri bhi tarif kar do. Aur Veena aaj kal tumhari najren kaphi fisal rahi hai, pagal idhar udhar najren na dala kar.


Dono ladkiyan hasti hui nikal gayi. Raghuvendr ko laga ki stop cheq aur ghar me pata chal jane ki wajah se kaphi bejjati hogi, par aisa kuch nahi hua, par kahin na kahin mann me ye jaroor tha ki chhotu ko iss ghar me kuch jyada he ahmiyat di jati hai.


Khair, subah shuru hui thi, Veena aur Raghuvendr ke looka-chhipi ka khel shuru ho chuka tha. Din ka waqt tha, Payal aur maa dono kitchen me thi, Veena hall se hokar bahar ki ore ja rahi thi aur Raghuvendr haal ki ore aa raha tha. Veena ko dekh kar thik uske samne se chalne laga... Dono aamne samne..


Veena thoda muskura kar apna ek kadam left lekar nikalna chahi, to Raghuvendr ne bhi apne kadam left le liye, phir ryt li kadam to Raghuvendr bhi ryt... Kuch der tak jab Raghuvendr ne rasta nahi chhora tab Veena Raghuvendr ke kandhe se apni dono hath tikati huyi.... Chhoro bhi rasta hall hai koi aa jayega...


Raghuvendr ne Veena ke kamar me hath dal kar jhatke ke khinch liya, Veena sidhe sine se ja lagi Raghuvendr ke aur Raghuvendr ne bhi apne haton ka pura dabaw pith par banaye rakha jiski pakar se Veena chah kar bhi chhut nahi pa rahi thi.


Badi ghabrayi najron se idhar-udhar dekh rahi thi, .... "Chhoro na plz, koi aa jayega"


Raghuvendr .... Jab se aayi ho kitna tarpa rahi ho, kahan kahti thi ek pal bhi mere bina nahi rah sakti, aur yahan ho kar bhi ye duriyan.


Veena... Paas hone ka matlab har waqt chipke rahna to nahi hota na, hun to pass he. Mere pyare janu, plzzz chhor do na koi aa jayega.


Raghuvendr ... Unnnhukkk ! Nahi chhorta pahle ek kissi do.


Veena... Ye hall hai jaan, aap samjhte kyon nahi, koi dekh lega.


Raghuvendr .... Dekhne do, hum apni hone wali ardhangni ke sath romance kar rahe hain, jise kharab lage wo apni aankhen mund le.


Veena... Plzzz chhor do, aaj raat bagiche me milte hain na, tarap ko thoda tabtak aur badha lo, milne ka maza aur jyada aayega.


Raghuvendr .... Achha thik hai, ek consolation gift he deti jao, pappi... Ye raat tak roke rakhega.


Veena ne apne hoth ko Raghuvendr ke honthon se laga diye, par Raghuvendr tha ki kiss ko todne ka naam he nahi le raha tha. Kisi tarah Veena ne masakkat kar ke Raghuvendr se chhuti.... "Hato ji, bade besharam ho gaye ho, ek to iss tarah se khule me kiss karne par majboor karte ho, aur upar se chhorte bhi nahi, main bahi aaungi ab raat ko.


Raghuvendr .... Marji hai ji aap ki main to intzar karunga.


Itna kah kar dono alag huye, jab gate se Veena nikal rahi thi, tab uski najar chhotu par pari, wo sharmakar apni najren nichi karti hui bhag gayi wahan se. Aur jab Raghuvendr ki najar pari chhotu par, to wo idhar udhar dekhta hua, apne kamre me chala gaya. Raghuvendr apne kamre me jate he bas raat hone ka intzar karne laga......
 
.
Moderator
2,372
1,837
143
Update 11A

Itna kah kar dono alag huye, jab gate se Veena nikal rahi thi, tab uski najar chhotu par pari, wo sharmakar apni najren nichi karti hui bhag gayi wahan se. Aur jab Raghuvendr ki najar pari chhotu par, to wo idhar udhar dekhta hua, apne kamre me chala gaya. Raghuvendr apne kamre me jate he bas raat hone ka intzar karne laga......

Kisi tarah din bhi kat gaya, ab aayi raat. Piya se milne ko bekarar thi Veena, aur Piya bhi milne ko mare ja rahe the. Kintu iss pyar par parwan tabhi chadh'ti jab dono milte. Dono ke pyar par war to Payal kar rahi thi.

Raat ke takriban 9pm baje Raghuvendr kha kar garden me chala gaya, aur Veena kha kar jaise he apne kamre me jane wali thi, Payal ne usse pakar liya....

Pahle wahin hall me baith kar dono baten karti rahi, phir Payal usse apne sath, apne kamre le gayi. Veena rah-rah kar apni ghari dekhti, aur bujhe najron se idhar udhar.

Payal ko jara bhi ilm nahi tha ki dono iss waqt garden me milne wale hain, nahi to sayad chhor deti. Payal ne phir aisa topic chher diya, jisme kho kar Veena ko khyal he nahi raha ki usse kisi tarah yahan se nikalna hai, aur Raghuvendr se milne jana hai.

Darasal baat Veena aur Raghuvendr ki kahani se shuru hui ki dono mile kaise aur izhar-e-mohabbat ki kahani shuru kaise hui. Veena bhi jab apne pyar ke bare me kahna shuru ki to waqt ka khyal he nahi raha. Wo to bas kahani me doobi rahi, aur kab raat ke 12:30 baj gaye pata he nahi chala.

Veena jab apni baat khatam ki tab achanak he usse dhyan aaya ki wo baton me phans kar ab tak milne bhi nahi gayi. Raghuvendr wahan padesan hoge, aur uss par gussa bhi. Veena ko jab ye khyal aaya to wo furti se uthi wahan se...

Payal, Veena ko tokti hui..... Ab itti raat ko kahan chal di bhabhi, aaj humare pass he so jao.

Veena ek phiki si muskaan apne chehre par lati hui, phir se Payal ke pass aa gayi. Dono bistar me pare-pare idhar udhar ki baten karti rahi, aur anth me so gayi.

Idhar Raghuvendr apne armano ke sath nikla tha Veena ka intzar karne. Kitna kuch kahna sun'na tha. Kitni baten karni thi, Veena ko bahon me bhad kar usse chumna tha. Lekin intzar ke siwa kuch nahi hasil hua.

Haan bas iss intzar me usse ek baar phir chhotu mila jo roj raat ko nahane aata tha, par Raghuvendr ke liye wo intzar ka pahla pahar tha, isliye usse najarandaz karte huye jaldi jane ki kamna kar raha tha, kyonki Veena kabhi bhi aa sakti thi.

Par afsos aisa kuch bhi nahi hua, raat aur kali aur ghani hoti chali gayi, aur intzar ka lamha khinchta chala gaya. Armaan dhare ke dhare rah gaye aur pyar chir-chirapan me badal gaya. Anth me intzar ka pallu chhor raat ke takriban 1:30 baje haar kar wapas chala aaya.

Raghuvendr subah gahri nind me so raha tha, maa ke jagane se uski aankhen khuli, par wo ab bhi jagna nahi chahta tha....

"Kya kar rahi ho maa, sone do na, abhi to subah ke sirf 6.30 baje hain"

Maa.... Tu sota rah, main aur Payal ja rahe hain mandir, ghar me koi nahi hai, kisi chij ki jaroorat ho to khud le lena.

Raghuvendr ..... Thik hai jao, chhotu to hoga na, usse bhej dena.

Maa.... Nahi chhotu to khet par nikal chuka hoga, waise bhi raste me hum usse apne sath le jane wale hain.

Raghuvendr .... Thik hai jao, ab sone do. Koi jaroorat hogi to main khud le lunga.

Payal aur maa chali gayi. Raghuvendr ki nind toot gayi thi isliye aankhen mundne ka bhi koi fayda nahi hua, nind khul chuki thi. Thodi der aanken munde raha, par jab nind na aayi to uth kar baith gaya....

"Ek to raat bhar uss Veena ki bachi intzar me so nahi paya aur subah hote he maa ne jaga diya, sala sab hath dho kar mere pichhe pare hain".

Raghuvendr utha aur ghumte-ghumte apne bagiche me gaya. Ek cigerattee sulgaya aur sutta marte huye ghumne laga. Abhi do kas mara he hoga ki chhapak ki awaz aayi. Raghuvendr soch me par gaya, ghar par koi nahi phir ye talab me kaun hai.

Dabe paun chhipte-chhipate pahuncha talab ke pass, najar ghumar dekha to wahan koi bhi nahi tha. Kuch der ruk kar aur dekha, tabhi pani ka sound hua... Aur pani ke ander se koi dubki lagata hua bahar aaya.

Raghuvendr ke dil, diamg aur paint sab me hulchal hone lagi. Pani me Veena naha rahi thi, jiski pith abhi Raghuvendr ki ore thi, pani se gila wo pith aur subah ki lal kirne jab par rahi thi to ek alag he drisay paida kar rahi thi. Bilkul sapat aur chikni pith.

Raghuvendr ka to mann kiya ki abhi jakar uske pith par apni jibh phira de, par wo thodi der ruk kar aur dekhna chahta tha. Veena phir dubki lagayi aur tairne lagi. Raghuvendr ke khyalon me bas yahi aaya jaise koi jal pari uske talab me tair rahi hai.

Ek baar phir wo pani se bahar aayi, aur ab ki baar to Raghuvendr ka sambhlana aur muskil ho gaya. Wo bilkul samne se bahar nikli, apne dono hathon se balon ke pani ko nichodte huye hath aage se pichhe le jati hui.

Pani me bhiga gora badan aur uske upar suraj ki kirne, uska badan bilkul chamak raha tha. Chehre par pani ki bunden ek alag he kasis paida kar rahi thi, najren nichi aati jab chhtiyon par gayi to tane huye waksh ko dekh kar uss par bass toot parne ka dil hua Raghuvendr ka. Safed bilkul gol aur kaphi tight waksh jo Raghuvendr ko deewana bana rahi thi.

Veena jab pani ko chirti aage kinare ki ore badh rahi thi to waksh ka uchhal dekh kar Raghuvendr ki sansen tham gayi, itne khule me saaf kisi ko topless dekhna, sayad aaj tak porn video me he dekh kar kalpna karta tha, par aaj jab samne Veena thi, to usse apne aankhon par yakin he nahi ho raha tha.

Veena kinare tak aayi, niche raat wali safed lower uske badan par ab thi, jo uske badan se chipki uski mansal janghon ke deedar kara rahi thi, upar ka pani me bhiga badan, aaj to kayamat dha rahi thi Veena.

Veena khadi hokar pani ki ore mud gayi, yani Veena ka sapat pith phir se Raghuvendr ke samne tha, niche jhuk kar sabun uthayi aur aage apne badan par malne lagi, thodi der baad usne apne hathon ko pichhe kar pith par lagane lagi.

Raghuvendr pura out of control ho gaya aur apne kadmon ko Veena ki ore le jane laga. Ek hath ki duri par hoga Raghuvendr, jab Veena ke hath se sabun niche gir gaya. Raghuvendr ne ek hath badhakar sabun ko catch kiya, dusre hath Veena ke pet par rakh kar usse majbooti se pakda, aur sabun ko dhire-dhire uski pith par lagane laga.

Idhar Veena ke pet par jaise he hath para Veena chikh di .... Aaaaaaaaaaaa,

Sabun lagate huye he Raghuvendr ne kaha... Darti kyon ho tumhare patidev aaye hain.

Veena khadi sharam se pani-pani ho gayi, soch me par gayi ki sab kuch inhi ka hai to rokun kaise, par shadi se pahle kya ye thik hoga. Mann ki soch to yahi kah rahi thi, par apne anchuye badan par apne sajan ke hath ko mehsoos kar ke uska tan-badan khil kuch alag he dastan bayan kar rahi thi.

Waksh ke nipple mano apne aap tight ho gaye aur yoni ke ander jaise koi bin pani ke machhli tarap rahi ho thik waisi tarap paida ho gayi. Kas-m-kas me phasi Veena ka haal bahut bura tha, na khul kar "haa" kah pa rahi aur na "naa".

Pith par hath firate huye sabun ko kamar tak le gaya, aur pet ko jakde hath ko hata'te huye lower ke nare ki ganth ko khol kar, ek hath dono wakshon ke upar dabaya aur apna dusra hath ander le ja kar sabun malne laga. Badan chunne aur chhuane ka ye anubhaw.... "Aahhhhhhhh"



Par hath ko sabun ka hona bardast na hua aur sabun ko chhorte huye Raghuvendr ne apne hathon se Veena ke jangh ko pakra. Uske nange zism par hath parte he Raghuvendr ko mano koi current sa laga ho, khun ki dhara naso me teeguni teji se bahne lagi, aur uska ling apne kaid se bahar aane ke liye farfara gaya.

Raghuvendr ka hath parte he Veena ke muh se ek "ahhhhhh" nikal gayi. Soch par sayad wasna hawi ho gayi thi isliye apni bechaini ka izhar karte Veena apne honthon ko daton se kaat rahi thi.

Jangon se chalta hua hath thik bich me Veena ke yoni ke pass pahuncha aur wahan par thoda ruka. Hath Veena ke yoni ki garmi ko bhap raha tha, aur jaise he Raghuvendr ne ek baar hath uske yoni par firaya... Veena ke hoton se ... Ishhhhhhhh .. Ki siskariyan nikal gayi.
 

Top