Lustyweb's Exclusive Story Contest 2022 ➣ Reviews & Comments Thread

Status
Not open for further replies.
Eaten Alive
4,118
4,183
143
Story - Sanyog A true love
(Theme-Love tales)....
writer - Destiny

story ke title ki tarah hi story bhi humare liye sanjog se bhare hai..
aap ki stories jo emotional aur thodi bahot comedy par base rehti hai bahut hi achi hoti hai....
aur ye short story us baat ko darshati hai aap bhi emotional ke sath sath comedy story tales ke bhi lover ho :D

mujhe to story bahut achi lagi aur jo topic aap ne bataya wo bhi kafi intertesting hai.aur is sanyog wale vishay par sach mein ghambir vicahr kanre ki jarurat hai... storyline bhi kafi badhiya rahi har kadiyon ka mel sahi hai..padhte waqt aisa na laga ki koi jaldbazi huyi hai sab aapne soch samajkar hi likha hai..
Sanyog ke sath sath kirdaaro ki bhaavna ko jo details di hai wo kabile tarif hai.. :adore:
story kahu to bahut achi hai..thoda filmy laga kuch ek jagah ....lekin ye motive tha aapka hum sabko dikhana ki sanjog kaise ho aate hai jindagi mein... waise ye bhi bilkul sahi bhi hai aur justify bhi bilkul sahi kiya hai :good:
jaise jindagi mein mod aate hai aur kayi pehlu aate hai , bina inke jindagi hi adhuri thik waise hi humein sanyog ki bhi aavshkta hoti hai.... khas taur pe promotion ke waqt :D
aapne story ke madhyam se ye bahut hi saral tarike se dikhya kabhi kabhi sanjog bhi huamre jivan mein bahut hi mahtvpurn rakhta hai ...agar wahi aana khatam ho jaye to jindagi hi fiki ho jaani hai..
Jaise agar rounak ke jindagi mein wo sanyog nahi aata to kya wo apni premika se mil pata.... waise zyada tar malli sanyog khushiyaan li laate hai.. lekin ek sach ye bhi hai ke Kabhi kabhi kuch sanyog ghaatak bhi sabit ho sakti hai... :D

baaki batane layak to kuch nahi hai kyu sab to aapne clear bata hi diya hai humare liye kuch chhoda hi na hai :slap:

Sanyog wala idea kafi interesting tha jo specially mujhe kafi attractive laga
yun to ye idea kafi purana hai lekin aapne isko story mein badhiya use kiya
ek baat aur sanyog wale situation mere liye deliver kar do taaki promotion mil jaaye :D

Btw rounak aur uske papa se judi kai khatti mithi Yadein aur khas kar shalini ji ki bhumika ko....jisko bahot hi bhawnatmak roop mein pesh kiye hai.. jo apne apme bemisaal hai...

Khair...chaliye ye sab to positve points the ab thoda negative par bhi dhyan de di jaaye :dwarf:
1) story mein ek do jagah spelling mistakes the
2) roushni k expression ki kami bhi dikhi.. heroine yani roushni ki bhumika us level touch nahi kar paayi jaha baaki ke kirdaaro ki bhumika atulneeya the...
3) kuch ek dialogue mein kamiya najar aayi..

waise story bahut shandar rahi aasha karti hu aage bhi aap aise hi interesting topic ke sath nayi story likhte rahe .....
waise review mein likhne ko to bahot kuch baaki hai... lekin kya karu vodka ki kami hai
Oh haan
Brilliant storyline with awesome writing skills :clapping: :clapping:

best of luck for contest :good:
 
Last edited:
Will Change With Time
Moderator
Top Poster Of Month
8,864
17,022

Shukriya Naina ji

Khubi ke saath khamiya na batayi jaye to shayad rachna adhira adhura sa lagta hai. Lagbhag 5000 words ki ye short story jise dhyan se read karne me lamsam 30 minat lagega.

Lagatar 30 minutes akagchit hokar ek ek pahlu ko samjhna mane reading ka supar natural power jo aapne hai aab ye vodka ka asar hai ya phir reality hai ye aap hi jano.
 
are wo revo to yun hi likh kar post kar di :laugh1:
original Revo to kal likhke post karne wali hun... maybe 1.5 words ke ho wo Revo :beer2:
 
Member
1,201
3,267
143
Destiny ji ya aka lagau chalo rahne deta hun :D
Main hamesha se aapki stories ka fan raha hun( tab se jab shayad aap destiny the bhi nahin :D ). Aur is baar ki ye contest story mujhe aapki ab tak ki best story lag rahi hai. :bow2:

Sanyog ya ittefaaq concept bahot hi fresh hai. Padhne mein bahot interesting lagi. Aur ek emotional touch bhi hai mod pe , chaahe hero ki purani yaadein ho ya present life...
Aur sabse badhiya sa twist tha tab jab raunak ki mom ne usi ladki ki photo dikhati shaadi ke liye jisse wo dilo jaan se pyar karta tha,par kabhi bata nahi paya... Mere khayal se story us point ko sabse bada sanyog keh sakte hai...
Dusri baat aap hamesha apni stories mein thodi bahot sahi par comedy jarur add karte hai...Is kahani mein bhi comedy scenes dekhne ko mili hai aur sabse zyada hashyakar drishya jab us kutte aur rounak ke bich ek cake ko leke bhaga daudi ho rahi thi ...btw emotions sabse jyada strong impact hota kahani ke liye...kyunki kirdaaro ke liye sympathy aur strongly feel ho paati hai..

Ek cheej thodi miss kari iss story mein woh this bigul brand of comedy . :D yaha thodi comedy ka jaaiyka kam raha....
ant mein Aapki storylines and uske happy endings mujhe hamesha se pasand rahi hai ...this story is good for a change, but looking for more emotional hurt touching and specially stories in the future.
 
Will Change With Time
Moderator
Top Poster Of Month
8,864
17,022
143
Story - Sanyog A true love
(Theme-Love tales)

writer - Destiny

Waise main sahi bataun to mere liye ye pahla anubhaw tha jab main is tarah ki koi story padh raha tha... Kayi tarah ki feelings ko ek sath sanjoye gaye hai....aur mul adhar sanyog tha ...

About writing :- achi writing skill hai aap ki lekin ise thoda aur improvement ki jaroorat hai... Emotions aur romance ko shabdon me utarana aasan nahi hota aur jab sab jaan rahe hain ki story emotional aur romantic hi hogi tab usme jo emotional scene hote hain na usme mehnat ki jaroorat lagti hai warna wo feel nahi hote .. jaise ki is kahani ke pratyek kirdaaro ke emotional scene ke sath hua...

Storyline:- thodi tragic , thoda twist, thodi comedy, kuch ittifaaq aur thodi romantic pe adharit ye story jo bilkul ek lay me chalti hai.. short story ke hisab se perfect words me likhi gayi hai aur readers ko ant tak jode rehne wali bhi hai... kahani ke hisab se dekha jaye to suru se aakhiri tak jo scenes the aur jaha kahani ke nayak ki beete huye jindagi se leke vartmaan jindagi tak jo bhi ghatnayein ghati aur sanyog huye ....sach mein kahani read karte waqt ek realistic feel karwata hai...

Note:- visay ko chun'na short story me ati aasyak hai... Jis hisab se aap ne ye story likhi hai .. is se he to pata chalta hai ki aap ko short story likhne ka anubhaw hai ... Isliye anurodh hai ki ek aur story de aur uske kuch sensitive vishay jaroor de...

Positive point:- sanyog vash tragedy aur emotional situation ho, sanyog vash romantic situation ho , twist & turn ke tahat sanyog wali situation ho.. in ko ek hi kahani mei firo ke likhna likhna apne aap me sarahniya hai... Uske alawa short story ek perfect shape me hai jahan limited shabdon me puri story likhi gayi aur kahin bhi ye feel na hua ki words ka misuse kiya gaya hai...

Negative point:- Emotional scenes thode aur touchy hone chahiye the.. kuch jagah pe spelling mistake huye..

Overall nice story line..​

Bahut bahut shukriya

Jab likh raha tha tab mujhe ye yakin nehi ho raha tha ki sanyog kisi pasand aayega ki nehi aayega. Jabki sanyog ko mai contest ki entry thread post hone se pahle likh liya tha. Bas daar ke karan post karne me jhijhak raha tha. Jab is tarah ke competition me bhag lene ka mera ye doosra mauka hai.

Ab ye jankar khushi ho raha hai mera likha hua sanyog ache ache dhurandaro ko pasand aa raha.

Mere paas writing✍️ ki skill kitna hai nehi janta par aapke paas readings 📖 skills bahut heby hai. Varna ek story jisme 5000 words ho read karne me lamsam 30 minute lagega. Phir itne ekagrta se read karna ek ek point ko samjhna aur us par revo dena atulniy hai.
 
Will Change With Time
Moderator
Top Poster Of Month
8,864
17,022
143
are wo revo to yun hi likh kar post kar di :laugh1:
original Revo to kal likhke post karne wali hun... maybe 1.5 words ke ho wo Revo :beer2:
Ek aur 1500 words ka thoda jaldi dena aur thoda kam vodka pi kar revo likhna nehi to raunak vichra roshni se milte milte aur kitne sanyog me phas jayega. 🙏
 
Will Change With Time
Moderator
Top Poster Of Month
8,864
17,022
143
Destiny ji ya aka lagau chalo rahne deta hun :D
Main hamesha se aapki stories ka fan raha hun( tab se jab shayad aap destiny the bhi nahin :D ). Aur is baar ki ye contest story mujhe aapki ab tak ki best story lag rahi hai. :bow2:

Sanyog ya ittefaaq concept bahot hi fresh hai. Padhne mein bahot interesting lagi. Aur ek emotional touch bhi hai mod pe , chaahe hero ki purani yaadein ho ya present life...
Aur sabse badhiya sa twist tha tab jab raunak ki mom ne usi ladki ki photo dikhati shaadi ke liye jisse wo dilo jaan se pyar karta tha,par kabhi bata nahi paya... Mere khayal se story us point ko sabse bada sanyog keh sakte hai...
Dusri baat aap hamesha apni stories mein thodi bahot sahi par comedy jarur add karte hai...Is kahani mein bhi comedy scenes dekhne ko mili hai aur sabse zyada hashyakar drishya jab us kutte aur rounak ke bich ek cake ko leke bhaga daudi ho rahi thi ...btw emotions sabse jyada strong impact hota kahani ke liye...kyunki kirdaaro ke liye sympathy aur strongly feel ho paati hai..

Ek cheej thodi miss kari iss story mein woh this bigul brand of comedy . :D yaha thodi comedy ka jaaiyka kam raha....
ant mein Aapki storylines and uske happy endings mujhe hamesha se pasand rahi hai ...this story is good for a change, but looking for more emotional hurt touching and specially stories in the future.

Bahut bahut shukriya Aakesh. Ji

Bahut hi khubsurat tarifo buare shavd mere rachna se khush hokar apne likha jise padhke mai gadgad ho gaya.

Apne reading 📖 skills ka bhi bakhubi parichy diya. Ek ek pahlu ko dhyaan se samjha iske liye mujhse jayadaa aap tarif ke hakdar ho.
 
Eaten Alive
4,118
4,183
143
Story - Veerakshi ki Love Story
writer - Aakesh.

kahani - ek ladka college jana suru karta hai waha ek ladki se mulakaat hoti hai...aur Pehli nazar mein pyar ho jata hai.. haalanki pehle college ho ya parking mein ho canteen ho bas mulakaate hi hoti thi... Lekin koi baat cheet nahi... Phir ek din himmat karke ladke pehli baar baat ki us ladki ne, us ladki ne bhi response di... phir badhti mulakaate ki dauraan dono mein dosti bhi ho gayi... par ladke ne apne dil ki baat keh nahi paya... par aisi kayi situation aayi jisse ladke ko pata chala wo ladki kitni phikar karti hai uski... tab uske dil ne kaha ki shayad ye fikar dosti se badhkar hai... isliye wo der na karte huye us ladki ko pyar ka izhaar kar diya ... ladki bhi ushe pyar karti thi so usne bhi ladke ke proposal ko accept kar bata di ki wo bhi usse chaahati hai... aur ant ab college khatam hone ke baad dono shaadi bhi karne wale hai...

Review - ek simple si love Story hai... koi complicated issue ya twist na hai ... Waise kya khoob likhte hain aap... shadharan si is pyar ki kahani ko padh ke yaad aaye khud ke college ke un sunahre dino ki .. Ek shandar mohabbat ki kahani me jitne baton ki darkar honi chaiye wo sab ke sab aapne dala tha...veer aur sakshi bina ek shabd bole wo mulakate, mulkato se paida hui hero ke andar sahas , phir suru hua baatcheet ka daud, phir dosti... Phir fikarmand hona veer ke liye , phir hero ne decide kiya propose karne ki, phir pyar izhaar aut sakshi ne bhi accept kar liya uske pyar ko aur phir prem aur ek sukhad anth...

Ab itna kuchh ho kahani me to kyon na ek achhi kahani sabit ho... Ek pyari si simple kahani ke liye aur kya chahiye... Lekin fir bhi pata nahi kyon ... Shabdon me feeling nahi thi...

Pahle to main kewal aapse nahi sabhi lekhakon se kahungi ki agar romantic genre pe story likh rahe hai to emotions ko aur details mein explain kariye ..

Sakshi ki bhumika bhi achhi thi ..Ek love story mein character aisa hi hona chahiye....par uske bhavnao ko byakt karne ke liye,uski soch ko bhi uske point of view se dikhane ke liye mauka dena chahiye tha..

Dusri ore chalte hain ... Halaki sukhad anth hua hai lekin charecter ko kafi strong rakha chahiye tha....
Aakesh. Ju bhi kya rahoge... chalo alochana nahi karti hu...

My point of view.....
Well...Kya zazbaton ka samagam tha... Romantic andaj tha veer ki bhavnao ko dikhane ka... Waise bade bujurg keh gaye hai mohabbat karo to izhaar karne deri nahi karni chahiye ...
Lekin veer ne sahi waqt pe izhaar kar diya...

Waise jo zajbaat veer ke the sakahi ko paroose karte waqt, wo aam taur par kuch ek suljhe nek dil ladkon mein hi hote hai... Iss baat se inkaar nahi kiya ja sakta... Aur sakshi ne bhi bhali bhaanti jaanti thi ye baat...isliye veer jaise sache premi ki manodasha wo achhe se samajh sakti thi aur isliye usne bhi bina deri kiye accept kat liya uske pyar ko... is ghatana kram ko bahot sarahaniya tarike se shabdon mein rupantaran ki hai aapne . Jitni bhi tarif karun kam hogi...Btw love successful ki bhavna iss se behtar nahi ho sakti aur aapne wakai me kamal kiya hai... Sakshi aur veer dil mein ek duje ke liye chahat paida hona , jab propose karne ke mile the dono , un lamhon bahot hi khubsurat tarike se phiroya hai kahani mein ... waise prem pasang ke baare mein jitni bhi bhavna vyakt kar dun... Kam hogi

Ant mein veer aur sakshi ki ek safal love story ko dikhane ka bahut bahut dhanywad ... Aap ne wakai bahut pyari kahani likhi hai...

Brilliant storyline with awesome writing skills :clapping: :clapping:
 
Eaten Alive
4,118
4,183
143
Story - Sanyog A true love
(Theme-Love tales)....
writer - Destiny

itni shaandaar story line hai ki main totally speechless... kaise sameeksha karu.. kahi koi galti na ho jaaye sameeksha karte waqt... phir bhi is shandaar kahani ke liye ek sameeksha ki koshish , ek peshkash ... hope writer sahab aapko pasand aaye..
Kahani.... Ye kahani rounak ki hai... ek nek dil , suljha hua ladka apne maa baap ka ekmatr dulara ..... waqt bhi ajeeb hi khel khelta hai... Kabhi sukh ghadi to pal mein dukh ke kale badal mandraye.... ek accident ke chalte rounak ne apne pita ko kho diya... tuta to jarur tha rounak lekin khud sambhala aur apni mom ko bhi... khud ke balboote par ek kamyaab insaan bhi ban gaya... ishi bich ek incident ke chalte ushe pehli nazar mein ek ladki se pyar ho gaya... ab ishe sanyog kahe ya kuch aur ladki bhi pehli nazar mein ushe chahne lagi.... lekin haye re futi kismat rounak aur roushni ki... dono ko alag hone pade ... lekin shayad dono ki achhayi aur sache pyar ko dekh upar wale ki meharbaani ho ya sanyog ..dono phir se mile wo bhi ek naatakiya mod ke sath...rounak ke liye jis ladki pasand ki uski mom ne wohi roushni nikli...

aate hai review pe...... Yaha bas baat sanyog ki nahi balki lekhak ne aur kayi pehlu readers ka dhyan aakarshit karne ki koshish ki hai..
kaahani ke present time mein ho ya rounak ke atit ki wo yaadein ho.... dono pehlu mein kirdaaro ke jariye rishte, apnapan , pyar aur emotions ko ek details ke sath pesh kiya gaya hai...
Dukh ke lamhon ko bhi bahot hi varnanaatmak roop mein darshaya gaya hai... aur thodi bahot hashyakar drishy ko bhi jagah di hai lekhak ne...

Pasandida kirdaar?
rounak, uske mom dad, roushni aur wo funny dog Sabhi kirdaar pasandida the..sabhi apni jagah par bahot hi perfect way mein role nibhaye hai....
rounak ka yun apni mom ke prati yun fikarmand hona, ye baat dil ko chu gayi...

kahani vastavik lagi....?

Haan... of course... kyunki sanyog pe adharit hai kahani ... aur sanyog har kisike jindagi mein aate rehte hai..
aur sabse badi baat ek middle class family ki chhoti chhoti khushiyon ke palo ko, ek dusre ko ahmiyat dena... unke dukh dard ke lamho ko, in sabhi ko bahot hi umda tarike se har shadbon ke sath phiroya hai lekhak ne...
aam insaan ki jindagi mein ye sabhi cheeje vastav mein hoti rehti hai...

Sabse dukhad aur tanavpurn drishya?

Jab rounak ke pita chal base ek accident ke chalte.... wo scene kaafi hidray vidarak thi..
Pita ke jaane ka dard kya hota hai ye baat main bhali bhanti jaanti hun... isliye jab rounak apne pita yaad kar dukhi hota tha , uske manodasha ko padh ke main bhi kaafi dukhi ho gayi thi ... waise uske manodasha ko shabdon mein bayan kar pana namumkin hai.. bas mahsoos kar sakti hun us waqt uske dilo dimag mein kya beet rahi hogi ....

Sabse vishesh pasandida drishy ?

Well aise to kayi drishya the lekin sabse zyada pasandida drishya jab rounak aur roushni phir mile... mile bhi mile wo tab mile jab unki shaadi tay ho rahi thi... aur usse zyada khas pasandida drishya jab roushni ne kahi ki wo bhi pehle nazar dil de baithi ... aur dono ek duje ke ho gaye .. ek happy ending sanyog ke baloulat..

kya kahani ne aapko hanshaya ya rulaya...?
kahani mein kayi mod hote jishe padh kabhi hanshi bhi aaye aur aise mod hote hai jishe padh rone ko jee kare... well yahan yeh dono mod the... aur lekhak ne jis tarike se in sabhi mod ko pesh ki hai wo sach mein adbhut aur atulaniya hai...
waise wo dogy aur rounk ke bhagam bhag drishya aur jo wo kutte ko bol raha tha aur jis nazar wo dogy ushe dekh raha tha... wo sabhi drishya aur ghatanakram kaafi hashyakar aur manoranjak the...

kya kahani ne ant tak aapko kahani ke sath jude rehne ko majboor kiya...?
shat pratishat...... chaahe kitne bhi shadb jod lun sameeksha ke liye par wo bhi kam hi pade is epic story line ke liye...... jindagi kayi pehlu pe adharit hote hai.... jaha milne, bichhadne, sukh, dukh ,durghatna, achhe, bure har pal aate jaate rehte hai...thik ishi tarah se insaan ke jindagi mein sanyog bhi aate hai....
iske chalte kabhi kabhi kitni khushiyon ki saugaat bhi aati jindagi mein yahi is kahani ke jariye dikhane ka arth hai..
Yaha is story mein kisise milne bichhdne phir milne ki aur ek ma ki mamta bhi dekhne ko milegi..jaha ek pita khone baad ek ladka kaise apni mom ko sambhala, kaise apne apko is kabil banaya ki samaaj sar uthake jee sake ye bhi padhne ko milenge... Emotions ke sath sath comedy scenes ishi kahani mein add hai..
naye readers se yahi request hai ki ek baar jarur padhe is kahani ko... kyunki kahani ne suruwat se hi ek gati li hai ek lay ke sath jo ant tak kayam hai....aap log jitni baar padhenge is kahani utni hi dil ke karib hoti jayegi ye kahani....
Rahi meri baat to shayad aage bhi kayi baar padhu is kahani ko...

My point of view -
Writer sahab kahani ke jariye yeh dikhane ki koshish ki hai ki agar koi mahattvapoorn chij ho ya koi insaan vishesh jo aapko dilo jaa se chahe aur agar aapke karib hai, aur agar ek din wo kahi kho jaaye to kya hoga ...lekin sanyog vash phir se mil jaaye to kitni khushi hoti hai...Lekin isko dusri point of view se dekhe to kuch to arth ya udeshya hoga us upar wale ka ...jo aapki jindagi us byakti vishesh ko lane ka.. isliye ise sanyog kahe ya upar wale ki aashirvaad... usko laut ke aana hi hai.....

ant mein writer sahab ke liye kuch shabd-- - Destiny ji
Kahani mein kaafi mod ya kahi jaaye sanyog aaye joh kahani ko dilchaspi banaye rakhi ... ek achhe writer ke gun, lakshan yeh ki kahani ki jariye, kahani ke kirdaaro ke jariye kahani ke naam ko sarthak kar de.... jisme aap pure tarike se kamyab rahe...
Really badhte pehlu ke sath sath kahani aur bhi zyada interesting hoti jaa rahin thi...
Har ek pehlu ko aapne dhyan dete huye kahani ko aage badha rahe the.
Sanyog se leke milne bichadne phir milne ki mohabbat dastan tak...ma aur uske bache bich ka anmol pyar se leke pita aur uske aulaad ke kuch khatti mithi yaadein...pehli nazar ka pyar se leke funny type ka bhagambhag hero aur us doggy ki.. , heavy emotions leke romance aur apnapan ke bhi anokhe sangam hai kahani mein ... ... kahani ki ghatana karm aise ki aankho ke samne hi ghat rahi ho...

aur kirdaar... jo kahani mein jahan bhi jarurat padi wahan apni bhumika sathik roop se nibha rahe the kahani ki har ek pehlu mein....
yeh bhi ek sach hai ki aapki is kahani mein har ek kirdaar ki mahattva purn hai.. I mean to say ek kirdaar bhi hata diya jaye toh kahani adhuri hai...
Hum hamesha hero heroine pe hi zyada dhyaan Kendrit karte hain... lekin yeh yaad rakhna chahiye ki baaki kirdaaro ke bina multiple ya pramukh kirdaar kuch bhi nahin.... aur aap kahani mein sabhi kirdaaro ke sath ek justify karte hain... Isliye aapki yeh kahani meri favorites kahaniyo mein se ek ho gayi hai....

Chalo kuch aur tarif kar deti hun :D
Destiny ji ki ye kahani matlab meri nazar mein writing jagat mein master stroke... jo facts kahani mein hone chahiye jo agle pichle pehlu se connected ho, un sabhi ko mohit saheb ullekh karte hai... . na kam, na zyada, bilkul perfect tarike se...
usse bhi badi baat, readers ka manoranjan ho is baat ko leke kash khayal rakhte hai.... aur unki har ek kahani aisi ki jaise subhah ki khilti dhoop ho... barish ki pehli bunde ho...
ek reader ko isse zyada kya chahiye..
aur destiny ji Aapne kahani ke jariye hi kahani ke naam ko sarthak kar diya hai...
jis udasya se kahani ko humare samaks pesh kiye as a reader main yahi bolu ki aap us udasya ko leke kamyab rahe..
aise hi likhte rahiye aur humari manoranjan karte rahiye

Oh haan...
Brilliant story line with awesome writing skills Destiny ji :clapping: :clapping: :clapping: :clapping:

Ek request.- bura na maaniyo jhuth na balu .. Destiny aka Bigul ji..ye aap bhi jaante hai mujhe brutality se bharpur thriller, suspense aur murder mystery wali stories zyada pasand hai... So is contest mein ek aisi hi story ki ichha hai.. aasha hai ki aap mujhe nirash nahi karenge aur ek khaufnaak , vengeance retaliation bharpur brutal story line jarur likhenge... jisme cruelty ki koi seema na ho :D
 
Status
Not open for further replies.

Top