First of all

for new story...
akshar maine kayi stories pe gaur ki hai... writers kahani ke (story characters) intro mein hi bahot Sare kirdaar add kar dete hai... isse kya hota hai ki Readers khud confused ho jaate hai kayi baar ki kiska kya naam tha...
Lekin aapne is kahani mein characters ke introduction ke waqt utne hi characters ke bare mein parichay diya hai jitni jarurat hai...sath hi plus point ye ki bilkul saral tarike pesh ki hai aapne...
ye kahani Reyasnsh rajput ki hai...aur badhte kahani ke sath baaki ke aham kirdaar uske ird gird role ada karne wale hai .....
Well intro mein hi ek khas baat pata chali hai ki Reyasnsh ki jindagi kaafi dard ke sath sath mushkilon sebhi bhari hai... shayad family walo se avahelana milne ki wajah se.. Family mein ek dada ji hi the jo ushe pyar dular karte the,,lekin afsos wo bhi naa rahe... haan bas uski chhoti bahan swara hi wo ek hai jiske dil me apne bhai ke liye sneh hai... fikar karti hai....
Par khudke hi pariwar se ye avahelana milne ki wajah kya hai? shayad badhte kahani ke sath pata chale...
Kahani kaafi rochak aur dilchasp hone wali hai ....