Fantasy Kaisa Yeh Ishq Hai.... Ajab Sa Risk Hai......

Member
1,531
1,618
143
Update:-6






Nandni puri tarah se ghabra chuki thi. Ek asmanjas ki stithi paida ho gayi thi. Ye log kya kar rahe hai bata nahi rahe the aur itni power supply ka matlab hota ki kahin koi unch-nich hui to pura work station bomb ki tarah fat jata...


Nandni ek jhalak charo ore uss work station ko dekhi aur aaj se kuch varsh purv ka khyal uske jahan me chala aaya.. biti yaden, pahle ek pagal Nandni ke life me aayi, Jivisha... Normal si chal rahi jindgi me drame aur nautanki ne jagah lee…


Jivisha ki wajah se hi fir Nischal uski jindgi me aaya... Jo apne grah se bhag'kar aaya tha… fir to kuch saal tak jindgi ne kuch sochne ka mauka hi nahi diya...


Us dauran un alokik chijon ko bhi dekhne ka mauka mila, jinki kalpna bhi nahi ki ja sakti thi.… Yahan around the world ghumna sapna tha, Nischal ke sath to around the universe ka safar tay kiya…. Ek lamba safar jisme romance aur romanch apni unchaeyon par tha…


Aise drishya in aakhon ne dekha tha jiski manorachna (imagination) to filmon ke madhyam se bhi nahi ki ja sakti thi aur utna hi epic tha Jivihsa aur Nischal ka shurwati jhagra aur baad ka pyar….


Nischal Aizem grah ka Sahjada to Jivisha Zoren grah ki Malkia... Aur dono ka pyar panpa Prithvi par.. aur dono bichhad bhi gaye yahin… wo lamha aaj bhi yaad hai jab 6-7 mahine pahle Nischal kah'kar gaya tha.…

"Jise ant samjha tha wo shurwaat hai... Bhale usne kah diya ho ki hum jis elake me hai, wahan uske kadam nahi padenge, lekin uska yakin nahi kiya ja sakta... Mai aur Serin jald hi sab pata karke lautenge… Jivisha ko abhi kuch mat batana"


Ek lamhe me jaise sari ghatnayen najron ke samne chal gayi ho. Nandni sukoon ki shwans leti wahin chair par baith gayi...


"Aap kahan kho gayi Nandni bua"…. Chirag, Nandni ko hilate huye puchhne laga..


Nandni, Chirag ke masoom chehre ko dhyan se dekhti.…. "Kuch nahi betu"


Aarsi:- Bua sasu fir humari madad kyon nahi karti...


Alexa:- Please help us. Tum soch bhi nahi sakti uss se kahin jyada mehnat pichhle 1 sal se dono ne iss par kiya hai...


Nandni:- Mai tum sab ke utsah ko samjh sakti hun... Lekin tum sab samjhte kyon nahi ki abhi tum teeno hi jimmedar nahi, aur ye sach hai.….


Alexa:- Ha ha ha ha... Pagal kuch bhi bol rahi ho.… Main in dono ka supervision kar raha hun aur mera kaam hai inke life support project me protsahan dena aur usme puri tarah help karna...


Nandni:- Matlab…


Alexa:- Matlab u will love his invention… ab help bhi kar do na, kyon bhav kha rahi...


Nandni:- Matlab suspence open nahi karoge...


Alexa:- Ab dono kuch final karke dikhana chahte hai, maan bhi lo baat….


Nandni:- Thik hai lekin ye aakhri baar hoga.… Iske baad yaha chal rahi har gatividhi par meri najar rahegi... Aur Alexa tum in dono ke liye ho to fir Jivisha ke piche kyon rahte ho...


Alexa:- Kya Nandu, Jivisha ke sath to bus yun hi rahta hun.… Waise bhi dimag par jor mat do.. meri pahle se ek girlfriend hai...


Nandni, Alexa ki baat par jod se hansti hui…. "Kya tumhari girlfriend… baad me main milna chahungi…. Chalo abhi batao ki karna kya hai... Main taiyar hun."


"Yahi hai right choice baby"…. Kahte huye Chirag nachne laga aur uske sath puri tarah roll karti Aarsi bhi jhumne lagi….


Shelf se jo box nikli thi uske ander ke shishe ko bahar nikal'kar rakha gaya. Magnifying glass se bade dhyan se dekhne par pata chatla tha ki bich me 4 dot mark bane huye the...


Alexa ne shishe ki upri ek parat khol'kar, un char points ko ek patle metal wire se inter connect kiya... Connection ko pura karne ke baad, wire ke 2 sire ko shise ke 2 kinare se bahar karne ke baad uske upar wapas se shisha chadha diya...


Alexa:- Nandu ready...


"Nandu... Hahaha, Alexa bahut fast ho.. haan mai taiyar hun, lekin karna kya hai"


Alexa:- Main ek sire se negative charge dunga, tum apne sire se 1 gigawatt plus ka charge generate kro. Maximum 2 gigawatt tak dena, uske aage dee to device kisi kaam ka nahi rahega...


Nandni:- Thik hai main taiyar hun...


Alexa:- Chirag, Aarsi.. dono jao process karo… aur teen ki ginti se hume batana...


Dono bhagte huye apni chair par gaye. Ek dusre ko cheer up kiya aur fatafat key board par hath chalane lage... 3,2,1… go go go...


1 ki ginti ke sath hi Nandni ne jaroori energy supply kar di. Uski aankhen puri badi ho gayi, kyonki un char dot ne puri ki puri energy consume kar lee. Alexa bhi bhag'kar gaya aur dono ki screen dekhne lage...


Takriban 2 minute baad ek jordar enter button press aur teeno hi halla gulla machane lage.….


Nandni:- Are hua kya hai wo to batao.…


Aarsi:- Off O baby, abhi hi nachne lage pahle try to kar lete…


Chirag:- Haan ye sahi hai…. Alexa try karenge pahle...


Alexa sare wire aur system se un char dots ko dicconect karne ke baad bahar nikala. Aarsi aur Chirag ke kandhe me dono side se insert kiya.… ready…


Alexa:- Tum dono taiyar ho na...


Dono sath me.… "Haan"


Alexa ne Nandni ke hath me khilaune wali gun di jisme se lagatar kancha fire hota. Bacche hain aur kanche ki firing bhi ghatak sabit ho sakti thi. Upar se lagatar firing... Nandni jhijhakti hui tap karti hui fire ki, taki ek kancha ek baar me nikle...


"Oh my god, in liliputiyan ne to sach me magic hands banaye hain"…. Kahti hui Nandni pure josh se fire karti... Sabhi kanche par return force lag raha tha aur kanche toot'kar niche bikhre pare the.…


Dono (Aarsi aur Chirag) "God Tussi Great Ho" se inspired hokar bullet rokne ke liye ek repulsive device banayi thi... Haalanki jaisa socha tha waisa to nahi ban saka..


Theory ye tha ki hath aage dikhaye to samne aane wali uddti chij, bilkul film me deewar jaise bana deti thi aur kuch second baad wo niche girte, aisa device banana tha… lekin final taiyar hua ye... Jo bhi udti hui chij aayegi ye device uske upar almost double opposite force se rokega. Ye force ek atmospheric hub ka nirman karte hai taki opposite force apply hone ke baad wo vastu collision ke karan blast na kar jaye ya ulta kisi bhi disha me mudkar jyada nusksan na Kar de...


Hath dikhane ki jaroorat nahi thi wo style matr me liye tha. Device ki gunwatta (properties) uske size par depend karti hai... Device size me badi hui to apne size se chhote size ki aa rahi objects ko rokne me asamarth hogi, isliye powerful nano device banaya gaya, jo 100⁵Mph speed se aati hui chijon par opposite force apply kar sakti thi, kisi bhi disha aur kisi bhi angle se. Fir chahe object kisi bhi size ka ho.…


Kamal ka innovation tha. Teeno ek dusre ke gale lag rahe the. Kaan faad music baja kar jhum rahe the aur ant me to jaise dil hi jit liya ho.…


Aarsi aur Chirag ne Alexa ko bula'kar wo device unke body se eject karne kah diya. Nandni ne jigyasawash jab puchha ki aisa kyon kar rahe, tab dono kisi rattu tote ki tarah jawab diya.…


"Ye science lab unnati aur progress ke liye hai. Yahan ke invention kewal emergency ki soorat me atmraksha aur dushmano se bachav ke liye hai, na ki iska istamaal karke koi individual khud ko hero sabit kare"….


Ufff ye liliputiyan to jhatke par jhatke de rahe the. Nandni Alexa ko rokti hui kahne lagi... "Science ke ore se super kid ko ek chhota sa tohfa. Ye tohfa unke khud ki atmraksha ke liye hai. Ye dono surakshit rahenge tab to dusron ki madad ke liye innovation karenge… lekin iske sath wada karna hoga ki koi herogiri nahi aur koi testing nahi"….


Aarsi aur Chirag dono hath se hath milate wada kiye aur teeno laut gaye... Laut'te waqt Nandni ke dimag me ek hi khyal tha.…


"Pagal the dono (Serin aur Nischal). Nischal to fir bhi kayi saal pahle Jaal mahal se nikal aaya, lekin ye Serin to uske tabah hone tak wahin hi apna jeevan bita di. Na jane Jaal mahal ke barbaad hone ke baad wo kya kar rahi hogi"….



_________________________________________



Aizem Planet...


Aizem planet ke middle state yani Madhya Rajya. Hasin sham ki gode me rajdhani aise jagmaga rahi thi mano koi alokik sahar hai, jise ek baar ghumne ki kalpna pura universe karta tha.


Rajdhani ke kayi aakarshan me se tha yahan ka rajmahal, jiski khubsurati na kewal uski banawat thi, balki wahan rahne se lekar kaam karne wale logon se bhi thi.


Madhya Rajya ke sabse khubsurat yuvak aur yuvtiyan hi iss mahal me kaam kar sakte the, baki log kewal ghum sakte the. Rajymahal ke dusre maale ke bich me tha ek alishan Amusement hall...


Uss hall ke ek kinare chhota sa jalashay bana hua tha. Pushp, itr ke sath sath uss jalashay ke jal me kayi tarah ke rashayan (chemical) mile huye the, jo tvacha (skin) ko nikharne ke sath sath pure sharir ko shukoon aur madak ehsason me dubo dete the...


Manoranjan hetu bana ye hall, yuvak yuvtiyon me kafi aakarshan ka kendr bana rahata tha. Kyonki jo sharirik shukh aur bhog ka aanand yahan ke vatavaran me aata tha, unhe pure Aizem me kahin nahi milta...


Mahal ke kaam se thake hare yahan ke yuvak yuvti apne sham se lekar der raat yahin bitaya karte the. Apni marji se sathi chunna aur kisi ko bhi rijhane ki puri azadi thi. Kaieyon ki to jodi yahan par bani thi... Haan lekin jodi banne ke baad sharirik sukh aur bhog ka aanand kewal apne jodi ke sath hi kar sakte the.. yadi koi teesra usme sanlipt hai to usme dono ki rajamdi honi chahiye...


Halanki yahan ki jodiyan bhi apne gharo me tarah-tarah ke charam aanand ke liye bahar se yuvak yuvtiyon ko bula lete the, lekin puri rajamandi ke sath jiski likhit dastavej jama karna parta tha.


Baharhaal iss sham uss haal ka mukhya aakarshan thi Serin jo jalashay ke ander nirwastr hokar naha rahi thi.. Serin us rajyamahal ki sabse khubsurat aur aakarshak yuvti thi, jo kisi ka bhi dhyan apne ore aakarshit kar le...


Serin jalashay ke gungune pani me sukoon bhada madak ehsas le rahi thi. Uske aas-pass uski sewikayen pani ke chhinte uske badan par de rahi thi, to koi uske hath paun mal rahi thi...


Serin apni aankhen munde bus sukoon ke ehsas me dubi hui thi, apne jivan ka purn aanad uthati... Kamuk ehsas se rome-rome bikhra ja raha tha aur halki madak siskari nikalti wo apni sewikaon ko dekhne lagi...


Serin ke kamuk bhav ko dekh'kar uski sewikayen hasne lagi.. Unki khili si hansi par kinare khade yuvak ke chehre khil gaye.. Aaj kisi ki kismat me tha iss rajmajal ki malkin aur pure Aizem ki sabse shaktisali stri ko sharirik shukh dena...


Yah apne aap me hi romanch ka vishay tha. Kyonki jitni khubsurat aur aakarshak Serin thi, usse kahin guna jyada khatrnak. Jab wo iss hall ke bahar hoti hai, fir Serin ki kahani hi kuch alag hoti hai.


Kintu yahan iss haal me Serin fulon se bhi najuk hoti hai. Uska badan is kadar Saumya hota hai ki uspar haath ferte yuvak to kya yuvtiyan bhi kho si jati hai.. aur kuch dino ke kaam ke baad Serin apne sarir ko sukoon dene aur madak kamuk ehsas ko bhogne ke liye aa jaya karti...


Serin ke kamuk bhav ko dekh'kar uski chaheti sevika Verti ko shararat sujhi aur Serin ke dono nipple ko berahmi se mododti, pani ke ander haath dal'kar uske yoni par apni hatheli ragadne lagi.… "Ishhhhhh" karti hui Serin puri tarah chihuk gayi.. pira aur kamuk ehsason ke karan apni bojhil aakhen kholti hui, Serin Verti ko shikayati najron se dekhne lagi.…


Verti khilkhila kar hansti hui apne dono hath se Serin ke dono stano ko sahlati hui.… "Jab inpar haath fisalta hai to aisa lagta hai iss dharti ki sabse shaktishali stri kabu me hai"….


Serin muskura'kar uski baton par apni pratikriya di aur dur khade yuvkon ko dekhne lagi.… Aur dekh'kar wapas apna sar sidha karke late gayi…


Serin bahen failaye leti thi. Uska chechra pura khila sa tha, jispar sukoon saaf dekhe ja sakte the... Uska badan pura chamak raha tha, aur pani ke upar uske sudol uroj kamukta ki wo unchaeyan thi jise dekh'kar mann me lalach aa jaye..


Pani me paun ki chhapak ki awaj aayi, koi jalashay me utar chuka tha... Romachit kamuk kalpna Serin me mann me bhi tair gayi, jiski muskurahat aur utsukta uske chehre par bhi dekhi ja sakti thi aur agle hi pal.…. "Aaahhhhhhhhhhh" ki madak siskari ke sath Serin ne apne honth kaat liye... Pani me utra ladka jhatke se Serin ke dono paun faila'kar apna sar pani me dal chuka tha aur uske dono hath Serin ke malmali, chamakdar urojon par the...


Yoni me apna pura muh dabaye, wo lagatar yoni ke ander apna jibh dal'kar, Serin ko pura uttejit karne laga... Stan par uske kadak hath, ek stri ko parush sparsh ka eshas karwa raha tha... Serin badhawasi me apne sar dayen bayen jhatakti lagatar lambi-lambi siskari le rahi thi...


Idhar ladke ka utsah badhane ke liye sewikayen us ladke ke jangh par apne jibh fira rahi thi, to koi uske ling ko apne mulayam hatho ke bich lekar use aage piche karte uss ladke me purn josh paida kar rahi thi...


Kuch hi der me Serin aur wo ladka dono uttejna ki unchai par the... Serin us ladke ka baal pakad'kar upar khinchi aur dono ki najren ek dusre se takra rahi thi...


Aage badhne ki tiwr ikchha ko maun swikriti mil chuki thi aur agle hi pal Serin ka aadha sarir pani se bahar uchhal gaya... Dono stan hilte-dulte upar niche ho rahe the jo kafi madak lag raha tha...


Aur yoni ke ander wo link ke hone ka ehsas, kamukta ki nayi unchaeyon ko chhu raha tha... Serin ka chamkta gora badan pani me upar niche ho raha tha… chhap chhap pani ki awaj kafi teji se aa rahi thi...


Jis shashakt yuvti ko dekhne se bhi hriday me bhay paida ho jaye... Uske najuk badan ko bhogne ka ehsaas us ladke ko pagal banaye ja raha tha… wo ladka lagatar apna paursarth sidhh karte, Serin ko purn saririk sukh dete huye, lay se kahin jyada ugr hokar uss jalshay ke pani me tsunami la chuka tha.…


"Aaahhh aahhh ahhhh ahhhh" ki madak siskari ke sath Serin ka badan lagatar upar niche ho raha tha aur anth me pura hall madak chinkh se gunjne laga... Sukoon se dono usi jalashay me nidhal ho gaye.


Serin ek baar purn kaam sukh ki prapti ke baad, sukoon se apni shwans khinchti wahin jalashay me leti rahi. Subah jab aankh khuli to Serin purn sukoon mehsus karti jaagi...


Uski jab aakhen khuli tab aas-pass sarkari log khade the. Serin pani se bahar aayi... Uski sewika uske badan pochhti, usse kapde pahnane lagi.… "Maha Prabandhak Lobhu kuch bologe, ya aise chup hi rahoge"


Lobhu:- Main dekh raha tha tumhe Serin...


Serin:- Aur dekhna hai to bata do... Aaj din me hi aanad le lenge... Nayla (Lobhu ki Jodi) ko bhi bula lete hain…


Lobhu:- Ha Ha Ha Ha... Ab lag raha hai jivit ho.. warna khud ko machin hi bana lee thi... Tum kisi ko chhed bhi sakti ho... Ye apne aap me kalpna se pade hai...


Serin:- Iss Rajya ke mukhiya ko chhedne ka maza hi kuch aur hai Lobhu... Sabaiyya kaise satta se bahar gaya aur kaise Sabaiyya aur uski jodi mere aur Nischal ke itne karibi hui, yahi apne aap me atulniya hai... Aisa lag raha hai mann ka vikar chala gaya... Ab to khush hun bahut khush... isliye kewal aur kewal azadi ki hawa me shwans leti ji rahi hun... main khul'kar ji rahi...


Lobhu:- To aur khush ho jao... Nischal apni yatra se laut aaya hai...


Serin:- Kya sach me...


Lobhu:- Haan sach me...


"Thik hai Lobhu… aaj mere sabhi bacchon ko ek sath bulao... Sabha bhawan me hi sabse milungi aur unke sath sab chalenge Nischal ke mahal"….
 
Member
1,531
1,618
143
Update:-7



"Thik hai Lobhu… aaj mere sabhi bacchon ko ek sath bulao... Sabha bhawan me hi sabse milungi aur unke sath sab chalenge Nischal ke mahal"….


Serin taiyar hokar sidha pahunchi sabha bhavan, jahan 40 bacche unka intzar kar rahe the. Bacchon ke bich pahunchte hi wo uske bhid me ghus gayi. Apne ghutno par baithi thi aur sabhi bacche aakar usse lipat rahe the, to koi usse chum raha tha…


Serin:- Aaj ka mukhya aakarshan kya hai...


Sab ek sath... "Hume pata nahi"…


Serin:- Hum sab Nischal ke sahar chal rahe hain...


Sabhi bacche ek sath mayusi se.… "Wahan jana jaroori hai kya?"


Serin:- Oppss !!! Kyon tum sabko pasand nahi uske pass jana...


"Wahan kewal jungle hi jungle hai aur wahan rajdhani ki tarah maza nahi aata"… baccho ka mila jula javab..


Tabhi ek halki si bhanak Serin ke kaan me pari, abhi ke liye najarandaz karti... "Thik hai tum sab mat jao. Mai 3 din ki chhuti par ja rahi yah maan'kar ki na tum sab mujhe chahte ho aur na hi Nischal ko"…


"Thik hai hum bhi sath chal rahe, lekin iss baar Nischal ko bolna hume kisi planet ghumane. Jab dekho hum sabko akela chhod'kar bhaag jata hai"… bacchon ki mili juli pratikriya…


Serin sabko bahar bhejti, ek yuvak ke karib pahunchi.… "Tumhara naam kya hai"


Yuvak:- Muley...


Serin:- To Muley mujhe jara samjhao ki Nischal aur uske sahar ke bare me jab baat kar rahi thi, tab tumhari hansi kyon nikal aayi…


Muley:- Unka naam sun'kar jiske chehre par hansi nahi aayi, ya to nafrat me andha hai, ya fir pagal...


Serin:- Achhi kosis thi. Apne bhav aur bhavna ko jarra kabu me rakhna sikho. Nischal se milna hai isliye shant hun.. aur mujhe dil ki chahat aur chaplusi me fark karna aata hai… Nischal ko lekar mann me koi khyal hai to usse dil me daba'kar mere pichhe nikala karo... Yad rahe dobara mujhe tumhare pass aane ki jaroorat na pare…


Serin apni baat samjhati hui wahan se nikal gayi. Sherin apne priya sagirdh aur raj-sahi samapt hone ke baad Middle State ke mukhiya Lobhu ke sath Nischal se milne chal dee. Halanki umr me kafi anter tha aur sagirdh kahne ka ye katai matlab nahi hota ki umr me chhota hoga..


Nischal aur Serin kabhi usi umr me the, jis umr ke bacchon ke sath Serin iss waqt safar kar rahi thi. Jab dono (Nischal aur Serin) ko apne pariwar se dur Jaal mahal me fenk diya gaya tha… Haalanki feka jana to kewal Nischal ko hi tha, lekin Serin kisi kimat par Nischal ko akela nahi chhodna chahti thi. To jabse unhe Jaal mahal laya gaya, fir kabhi dono ne apne bachpan ko nahi jiya...


Serin ke sath wo anath bacche the jinki jimmedari kisi ne nahi lee thi. Iss se judi ek aur baat hai... Ye wo bacche the jinke mata-pita kabhi Nischal aur Serin ke khilaf lade the. Aizem ke lagbhag 1 lakh kushal prashikshit sainik Zoren grah ke shashak ke sath milkar Jivisha aur Nischal ke khilaf lade…


Ussi bhishan nar sanhar me anath huye bacche the. Jinme se 1000 bacchon ki jimmedari kisi ne nahi lee, uski jimmedari Nischal aur Serin utha rahe the.. Halanki kahna galat hoga ki jimmedari utha rahe the, balki in bacchon me wo apna bachpan dhundh rahe the jo ab laut'kar nahi aata..


Takriban aadhe ghante baad Serin, Nischal ke sahar ke dwar par thi jiske aage bada sa board laga tha.… "Virane me aapka swagat hai"…


Middle state ke jab sabhi shahar apne vikas ki nayi unchai ko chhu rahe the, tab Nischal ke shahar ki aabadi lagbhag shunya ho gayi... 8000 square kilometer me mahaj 3000 pariwar baste the, usme bhi kayi kilometer baad 20-30 gharon ki basti thi.


"Ye Nischal bhi na, pura Middle State uska hai fir bhi jungle me rahta hai"…

"I love jungle, main Nischal ke sath jodi bana'kar yahin rahungi"…

"To tu abhi kyon nahi rah leti, humara sar kha rahi"

"Nischal ke pass jo rahega usse Adhymya ki potti saaf karni hogi"

"Ewwww !!! Fir mai Nischal ke sath nahi kisi aur ke sath jodi banaungi"

"Mere, mere, mere"

"Huhhh ! Tum log to abhi bacche ho aur waise bhi koi kaam bhi nahi karte. Jodi ki jimmedari kaise sambhaloge"

"Serin hai na... Wo jab kaam karti hai to hume kaam karne ki kya jaroorat"


Bacchon ki mili juli pratikriya sun'kar Lobhu hanste huye kahne laga… "Jo Serin kisi ki awaj sun'kar hi chidh jati thi, aaj pura din inki sunti hai"…


Serin:- Lobhu baaten ghumao mat, saaf-saaf kah do jo kahna hai...


Lobhu:- Tum janti ho main kis ore ishara kar raha hun.… Tumhe to khud bhi pata nahi ki tumhe jina kisne sikhaya… khush rahna kisne sikhaya…


Serin:- Bacchon ko pahle mahal chhod'kar aao ... Fir tum mujhe aur Nischal ko uske bare me batana... Jab bhi Jivisha ke bare me batate ho, dil me gudgudi si hone lagti hai… itni chulbuli aur humse pyar karne wali bhi koi thi… Lobhu ek baar aur shuru se sab batao na...


Lobhu:- Nischal se mil lo mai in bacchon ko mahal me chhod'kar aaya…


Serin khili si muskan ke sath jungle ke ander chal dee. Ek pratibandhit kshetr jahan jane se pahle Adhymya ke bacchon se izazat leni padti thi. Waise to abhi apne baap ke size yani ki 30 fit ki unchai nahi prapt kiye the. Ye bacche abhi 8 fit ke hi the, lekin 12 ki jhundh me ye apne pita Adhymya se bhi jyada khatarnak aur balshali the.


Jaise hi Serin us pratibandhit kshetr me 100 meter aage badhi hogi, Adhymya ke baccho ne charo ore se gher liya… 12 ke 12 ne milkar itni jod dahar maari ki Serin ke kaan faad diye….


"Hat rasta chhod... Tere baap me kabhi himmat nahi hui mujhe rokne ki aur tu mujhe rok raha"…. Serin bhi gurrati hui ek najar sabko dekhti hui kahne lagi...


Tabhi jhund ke 2 sher aage aaye aur thik uske chehre ke samne itna tej garje ki apne muh ka aanshik chhipchipa laar Sherin ke muh par chhiten maarte, apne gardan dayen-bayen ghumane lage...


Serin apna muh saaf karti 4 kadam pichhe hui aur daud'kar jump leti, dono ke side face par ek-ek thappad jadti.… "Tumhe ladne ka mann hai to yahi sahi aa jao.. aaj tum sbako yahi lita lita'kar maarne wali hun...


Thik issi waqt thodi dur se Nischal ki awaj aayi aur sabhi sher vishram le liye. Koi sher hatkheli karte Serin ke kandhe ko dhakka maar raha, tha to kisi ko Serin uska gala pakad'kar aalingan me le rahi thi... Wahan se aage badhne se pahle Serin kahti chali.… "Jab Nischal nahi hoga tab apna bal pradarshan karenge"…. Adhamya ke sabhi bacche ki ek sath khushi ki dahar...


"Bahut hi pyari aur khubsurat lag rahi"…. Nischal ek kate ped ke upar baith'kar, Final Planet se chori karke laye pakshi ke ore maans ka tukda uchhal'kar fenkte huye kahne laga...


Serin uske karib baith'kar, Nischal ko chumti hui.… "Tumhara hona hi meri khushi hai Nischal. Viggo Viman ki koi khabar"…


Nischal gahri shwans lete…. "Hum dono ko chhod'kar Jivisha ko pura Middle State se lekar North State tak janta hai. Humare Viggo viman ka raaj bhi unhi panno me dafan hai kahin, jo hume yaad nahi"…


Serin Nischal ke gale me kisi dost ki tarah hath dal'kar bhinchti hui.… "Kahti hun prithvi chalo to chalte nahi.. ab mai ub gayi hun... Kisi ek baat par faisla kar lo, mujhe tumhara ye akelapan achha nahi lagta"…


Nischal:- Tum ho na meri puri duniya...


Serin:- Pagal mujhe to next blood (Next Generation) dekhna hai.. aur ye aakhri Viggo ka badhta samuday...


Nischal:- Achha isliye meri jodi banane ki soch rahi… khud to akeli mauj karna chahti ho aur mujhe kisi ke sath bandhne ki soch rahi… aur kya kah rahi ho sabse... Meri jodi banegi wo bhi Viggo ke rashm se...


Serin:- Dekha jaye to meri chhoti si sajis hai. Viggo ki jodi to banegi nahi ye to mai samjh gayi. Isi bahane tumhari kam se kam 3-4 jodi bana'kar main Viggo samuday ko sanrakshit to kar hi sakti hun... Aur jitne bhi next blood honge unhe mai bada karungi... Unki master Serin...


Nischal:- Ye har baat par tum Viggo samuday ke badhava par jod kyon daal rahi ho aaj... Kya yakin nahi ki mai jivit rahunga...


Serin:- Is baat par yakin karne ke liye pahle mujhe jivit rahna hoga aur vishwas karo, jo hathiyar tumhe marne ke liye aage badhenge, unhe pahle mujhe bhedna hoga... Ab mai bhaybhit hun tumhari baaton se. Aaj ke baad tunhari har yatra me main tunhare sath rahungi. Lekin uss se pahle meri baat maan lo, meri khushi ke liye...


Nischal:- Tumhari ikchha janta hun lekin fir bhi suna do…


Serin wapas se Nischal ko chumti... "Bada sa samoroh hoga. Kewal middle state hi nahi, balki pure Aizem jshn me duba hoga... Pura hafta hum chhutiyan manate rahenge... Pahli baar Amusement Hall kisi jode ke liye khola jayega, aur shayad aakhri baar bhi.… Wahan tum aur tumhari jodi pure hafte maze karoge... Aur wahin ke wahin next blood ki subh sanket bhi sun lungi.. maza aayega…


Nischal:- Aur Jivisha, jiske bare me Zoren niwasi kah rahe the ki unhone alokik raushni dekhi thi... Ek Viggo ke sache prem ki jodi...


Serin:- Tumhare sine par wo nishan hai kya???


Nischal:- Nahi... Par ye bhi to ho sakta hai na ki jab mere yaden gayi to dil se wo chahat bhi gayi... Yahi wajah hai ki hath ke nishan mit gaye...


Serin:- Isliye to mai jodi ke liye itni jid kar rahi hun... Tumhari sacchi chahat mil gayi fir tum kisi ladki ko hath lagaoge nahi...


Nischal:- Aaj ye kaisi paglon wali baten kar rahi ho..


Serin:- Main bus sun-sun kar thak gayi hun... Ya to samuday aage badhao ya fir aaj ke baad jise bhi mai aakhri Viggo kahti sunugi, uske samuday ko aakhri kar dungi... Aur main faisla kar chuki hun... Mai ja rahi hun bacchon ke pass.. apni marji bata dena...


Serin gusse me uth'kar ja rahi thi aur tabhi wahan Lobhu bhi pahunch gaya... Usse iss prakar gusse se jate dekh..… "Serin wo sun to lo jisse sun'ne ke liye bulayi thi"..


"Mujhe na to kuch sun'na hai aur na samjhna... Isse kah do aaj faisla karke jaldi bata de. Meri baat bahut dino se taal raha hai"… Apni baat kahti Serin wahan se chali gayi... Aur Nischal apne aakhon me khun utar'te, apne khanjar ko bade dhyan se dekhte.…


"Mere jahan se mere Jaal mahal ke dhwast hone ki puri yaden jisne mitayi... Jisne mere jivan ke sabse hasin pal ko koda (blank) kar diya. Mera wada hai khud se jab tak usse apne khanjar se chir na dun chain nahi aayega... Lobhu aaj hi 10 logon ko pahle Zoren bhejo.
Wahan se Jivisha ki puri detail lekar prithvi kaho jane. Sab pata karke kaho aane.… Dhyan rahe kisi ko kano kaan khabar nahi honi chahiye ki ye 10 log kahan aur kyon ja rahe hai. Lagta hai meri Half (meri sauteli) kafi khaffa hai mujhse.. Chalo mai chala Serin ke pass aur tum jao mera kaam karne... Abhi"






______________________________________




"Nooooo... Noooo... Please.. I can't hold u anymore.. aaaiii aaiiii reeeeee"..


"Lage hai ye videshi professional to gayi bahaya... Ja chhori kisi aur ko jaldi bhej je mahra hathiyat khada howe"…


"Aahhhh aahhhh aahhhh aahhhh... Harder baby... Aahhh harder... Ummmmm.."


"Chaudhry teri wali to maze le rahi.. mahri kahe bich raste me daga de gayi"…


"Wadhwani keep quite"…


"It's so big.. come on push it harder"…


"Re Khan thari sasuri ander dalne kah rahi se, dal na.. kahe chum chat kar Jhon Snow bana ja raha... Muh se hi sab kar lega ke"…


(Jhon Snow 'Game Of Throne' Namak web series ka ek mukhya patr tha. Uski duty aisi jagah lagi thi jahan wo sex na kar sakta tha aur majboori aisi fasi thi ki kya kare… to apne jibh ke hunar se mamala shant kar diya tha... Usi ka jikr karte"


"Wadhwani don't dustub"…


"Mare se ab bardast na howe hai, saanp funfkar raha hai kisi na kisi bil me to ghusega sasura.."…


"Wadwaniiiiiiiiii... BC .. Haramiiii... MC… BSDK.…."


"Sale pichhwade jate hi deshi yaad aa gaya Khan, abhi to angereji me kahe se "don't distrub"…


"Wadhwani teri wali aa gayi.. ja le uski..."


Ek bade se kamre me rangarang kraykarm shuru tha. Samuhik kraykram me maze ke sath-sath hnsi thitholi bhi apne charam par tha... USA ke 3 migrant billionaire ke bache the, jo apne baap ki daulat ka bilkul sahi istamaal karne me lage huye the aur jashn ke mahol me 'Khao piyo mauj karo' ki kahawat ko sach kar rahe the...


Haan lekin ye mauj baap ke daulat se nahi kar rahe the, balki wakai me apne baap ke daulat ka sahi istamal kiya tha. Dhyan dijiyega warna mera koi dosh nahi yadi aap yah samjh le ki baap ki daulat se group sex samaroh ka aayojan tha.


Gaurtalab hai, pahle jahan inke pitaji ki rank prawasi billionaire ke hisab se Forbes magazine me chhapti thi. Nahi samjhe to jakar Google kijiye top Indian billionaire in USA, top Pakistani billionaire.. to aise me unke pitaji ki ranking thi. Baki overall USA ke amiron me to 150-200 rank par ho, wo Google baba achhe se bata denge..


To ab ye teeno mahaj 6-7 mahine me hi na kewal USA ke balki duniya ke amiron me sumar the. Sal bhar pahle tak ye teeno ek dusre ke pitaji ko bus kitabon aur magazine ke jariye Naam sunte the. Na kabhi dur-dur se dekha aur na hi kabhi mile. Lekin achanak hi kuch mahine pahle teeno ne apne pitaji ko jhatka dete, sath me business shuru kiya.. ek vittiya varsh (financial year) me matr 7 mahine hi kaam kiye the aur un 7 mahine me inka hi danka gunj rahi thi....


Jahan arab'patiyon ke vyapar me 2 se 5% ka gross profit dekhne ko milta tha, wahin inke vyapar me adbhut aur achambhit karne wala growth dekha gaya tha, wo bhi kayi hazar guna. Iss baat ka aaklan sirf itne se hi lagaya ja sakta hai hi teeno ne 1 billion USD se 7 mahine pahle business shuru kiya tha aur year close kiya 9 trillion USD.


Business ke galiyaron me bus inhi ki dhoom thi. Charo ore inhi ke charche aur har businessman ander se kudhte huye apne karibiyon se puchh rahe the ki ye "Last Wish" company aisa kar kya rahi hai jo har din 4 guna se bhi jyada tarakki kar rahe...


Aakhir ye teeno hai kaun jo achanak se picture me ubhar'kar samne aa gaye? Inke baap to salon ki mehnat ke Baad bhi kabhi 7 billion se aage nahi badhe, fir majah 7 mahine me kaun sa jadu kiya hai????
 
Will Change With Time
Moderator
9,443
17,279
143
Bhai pach update roj mat do ek ek update karke do and thank you 🙏 dost
 
Member
1,531
1,618
143
Bhai pach update roj mat do ek ek update karke do and thank you 🙏 dost
Bilkul agar story full enjoy karni hai aur usko feel karna hai to Jada se Jada do update kafi hain par mai to thahra cnp wala log ye na sonchen ki usme bhi kanjusi kar raha hai ishiliye panch bola tha chalo ab ek ya do dunga okay
 
expectations
22,960
14,936
143
Bilkul agar story full enjoy karni hai aur usko feel karna hai to Jada se Jada do update kafi hain par mai to thahra cnp wala log ye na sonchen ki usme bhi kanjusi kar raha hai ishiliye panch bola tha chalo ab ek ya do dunga okay
Tumhara bas chale to ek sath sare update post kar dalo :lotpot:
 
Will Change With Time
Moderator
9,443
17,279
143
Bilkul agar story full enjoy karni hai aur usko feel karna hai to Jada se Jada do update kafi hain par mai to thahra cnp wala log ye na sonchen ki usme bhi kanjusi kar raha hai ishiliye panch bola tha chalo ab ek ya do dunga okay
Jayada update ek saath hone par read karne ka maza thoda kirkira ho jata hai vaise ye story agar nain ji kud post karte to aur maza ata
 
Member
1,531
1,618
143
Jayada update ek saath hone par read karne ka maza thoda kirkira ho jata hai vaise ye story agar nain ji kud post karte to aur maza ata
Aane deo unko hum story close kar denegn post karna okay tab tak padho story se matlab hai na
 
Member
1,531
1,618
143
Update:-8




Hathon me jaam ke glass, alishan ghar ka bada sa hall aur uss hall me 3 log baithe. Joy chaudhry, Yuvi wadhwani aur Arf Khan. Aaj ke waqt ke bahucharchit chehre jise kuch mahine tak koi nahi janta tha...


"Ha ha ha ha ha... Logon ko wahi dikhta hai jo hum dikhate hain. Prakriti hain hum.. samast Brahmand hum me nihit hai aur hum hi hai brahmand"….


Teeno hanste huye jaam chhalkate huye kahne lage….


Arf:- Dhanwan hone ke bhi sukh nirale hai.


Yuvi:- Aaj to manne maza aa giyo bhaya. Kitne sadiyon ke baad je maza jivan me aayo hai...


Joy:- Maze-Maze me jo kaam karne ka maza hai wo aur kahan... Aurat ka sukh hi sampurn sukh hai.


"Teeno ko maza aa raha hai"……. Andhere ke ore mukhiya ki aalishan kursi par baitha ek shaks gaanja ke chilam ka lamba kas khinchte huye puchhne laga...


"Maza to bahut aa raha hai Pratham, lekin tum humare sath maze nahi karte, hume achha nahi lagta"…. Teeno hi ek lay me ek sath bolne lage...


Pratham:- Hmmmm !!! Bhavnao me yah kyon bhul jate ho ki mai tum hun aur tum mai. Jo tumne mehsus kiya wo maine bhi aur jo mai mehsus karunga wo tum sab, aur wo saanp ka galat bil bhi. Stri sukh, dhan ki maya, logon ko khud se satana, unhe tadapta aur bilakhta dekh'kar man ko asim sukh mehsus karna. Yah sab ek waqt me khud se nahi kar sakta tha, isliye to ekal mastishk ko 3 aur samanya (equal) mastishk me bana'kar, ye sab khud se ek waqt me karne ka aanand utha raha...


Joy:- Haan lekin tum aur Wadwani purn hi rahoge, kyonki hum dono (Joy aur Arf aur tum dono (Pratham aur Yuvi) me khchh to anter hai hi...


Pratham:- Nahi maine koi anter nahi rakha tha. Mai swayam (self) ke 2 aur roop bana raha tha (Yuvi ka nirman sadiyon pahle ho chuka tha) lekin iss baar bhi chhote-chhote anter rah gaye. Aur mujhe pata hai ki wo anter bhi tum dobo pura kar loge, jaise Yuvi kabka kar chuka. Kyonki.…. Mai hi to tum hai aur tumhe bhi pata hai ki kya khoya hai jise hasil karna hai…


Arf:- Isme bhi koi shak hai kya... Hum to dusron ki shaktiyon ko chhin lete hain. Fir ye to khud ki siddhi hai, jo kisi karanvash rah gayi. Kitna waqt hi lagega unhe khud me nihit karne me.….


Joy:- Haan wahi to, prakriti ke charo praroop ek hai. Jinme koi anter nahi...


Yuvi:- Re pratham bhaya, jab bhi aawe se gyan pel'kar pure mood ki maa bahan kar deve se... Chhod de bhaya aur aane ka karan batao na...


Pratham:- Humare alag hone ka waqt aa gaya hai. Ek hi waqt me mai char alag-alag jaghon se khud se sab niyantrit krunga yah romanchit karne wala hai.… Mai apne lakshya ke pichhe ja raha hun... Jisne kabhi aankhen dhikha'kar meri lash par bola tha... "Astitw hi nahi tumhara prithvi ke bahar, tumhari shaktiyan vyarth hai".…


Yuvi:- Je hui na baat, kab se dil me aag to lagi thi… Astak ko uske ant'hin jeevan se mukti de de bhaya, bahut ji liyo.… Wo to maareh aur thaare se bhi purana howe se... Ek dil ki tadap aur howe se lekin puri na ho sake...


Arf aur Joy ek sath... "Astak ki leela samapt karne se jyada to ussi ki tarap hai"...


Pratham gahri shwans leta.… "Tab Vish-Nilayani nahi mili thi. Aaj uska sampurn roop ek baar fir samne hai, Jivisha, usse bhi hasil nahi kar sakte"…


Arf:- Yaden mit jaane se bhale hi Jivisha ki shakti wapas so gayi ho, lekin uske ander purvanuman ki alokik shakti soye me bhi khatarnaak hai… soyi shaktiyon se chhed-chhad hume lakshya ke ore jane se rok sakti hai…


Pratham:- Isliye Jivisha ko abhi uske haal par chhod do..… Astak sampurn Dark Universe ke matr 22 planet se dur hai.… Wo lagatar apni shaktiyon ko badhate huye agle 40 varsh me Dark Universe aur East universe ke dwar par hoga... Is bich hi usse khatm karke hume uski shaktiyon ko hasil karna hai.…


Yuvi:- Bhaya je sab to thik hai, lekin astak ko harane ke liye matr 40 hazar ki fauj. Wo bhi nirbal insan... Astak to aayega bhi na ladne, uski beti Hella hi kafi hai...


Pratham:- Pahle mann ke ander khud se baat karna aur ab samne se apne mann ke sath baat-chit karne ka maza hi kuch aur hai.…


Joy:- Hella apne 5 sardar ke sath kal hi Universe ke adhere kshetr ko laangh gayi hai... Wo universe ke pahle hisse me 24 planet ka jayja legi... Uske baad hi Astak apne karykram banayega…. Humara pahla shikar Hella hi hogi... Uske dimag me ghus'kar, uska dimag jaise hi fuse kiya, samjho Astak ghutno par aur universe ka Dark apna hua.…


Pratham:- Ab samjhe Yuvi bhaya, kyon main aaya hun. Yuvi tum Arf ko purn karoge aur yahan se apna kaam jari rakhoge. Hum chale Astak ki beti Hells par kabu pane...


Yuvi:- Thare irade nek na laage se... Chhodi khubsurat hai key bhaya...


Joy:- Kisi ne dekhi hi nahi aaj tak to kalpna bhi kya karna... Haan lekin us'par kabu pana hai... Maarna udhedhya nahi.. Yadi vifal (fail) hote hain to tum dono ko pata hai kya karna hai...


Arf:- Vidheya ne hume maara tha. Vish Nilayani ne mara, Astak ne to uske kshetr me ghusne ke liye 4 baar maara... Aur wo bhi aisi-waisi maut nahi balki kutte ki maut mara tha, wo bhi palak jhapakte hi... Jivisha, Serin aur Nischal ne mil'kar mara. Sabhi maarne walon ko salaam... Bechare hume kitni baar marenge...


Prathan:- Prakriti kabhi marti bhi hai kya.…


"Lekin aaj tum sab maroge. Chup-chap company ke share humare naam kar do to shayad jinda chhod den"….


Charo aapas me baat kar hi rahe the tabhi unhe high class professional terriorost gang ne gher liya. Takriban 40 log ek sath ghuse the...


"Hahahahahahahahaha.… Hahahahahahahahaha…. Hahahahahahahahaha.… Hahahahahahahahaha"… Un charo ke paglon ki tarah tej-tej hasne ki awaj.…


"BC hum yahan Universe jitne ki planning kar rahe aur tu kide makode, humare sukh ko chhin'ne chala aaya"…. Yuvi kahada hokar gusse me apni aakhen laal karta un sabko ghurne laga….


"Ek partner jayega tabhi in haramiyon ko samjh me aayega.… Shoot"… terriost ke boss ne kaha...


"Dhaynnnnn"… handgun ki ek bullet chali... Un charon ke hasne ki awaj fir se shuru.… "Dhaynnn.. dhaynnnn... Dhayynnn" …. Back to back handgun ki 3 goliyan chali...


Fir se un charon ke hasne ki awaj... Bhannaye aur jhunjhlaye logon ne charo ore se firing shuru kar diya... Glass, flask, bottol, har wo chij jo bullet lagne se bikhar sakti thi, toot'kar hawa me bikahrti niche aa rahi thi.… "Aaaaaaaaaaa" …. "Aaaaaaa"… "aaaaaaa" …… "aaaaa"


Tabhi uss mahol me bullet ki awaj ko bhi bhaybhit karne wali chinkh gunjne lagi. Aur har chinkh ke sath hooting aur seeti bhi utni hi jodon se baj rahi thi… Aatankwadi Sargana ne chillate huye sabko rukne ka order diya... Aur shant mahol me jab bache huye logon ne khuli aakhon se najara dekha.… "Aeeeeee... Nahiiiiii.… Aeeeeee nahiiiiii..."


Aur ghabrayi si awaj me koi ladkhada kar girte huye, khista hua darwaje tak jane ki kosis karne laga to koi aankhon ke aage ka najara dekh'kar ultiyan karne laga.…


"Bhaya je hatheli na howe, e howe hai tawa... aur Je tera sar na howe... Ye howe hai laal tamatar… aur je raha 2 tawe ki chapet me laal tamatar..."… Bade hi itminan se Yuvi ne apne dono hatheli ke bich ek ka sar rakh'kar jod se tali bajayi, aur pura sar tamatar ki tarah fachakkkk...


Aankhen bahar, dimag ke ander ka purja lasa-fasa chip-chipa hatheli ke upar niche, dayen, bayen jahan se bhi bahne ka jagah mil raha tha, bahkar niche farsh par girta chala gaya... Tabhi Yuvi uski aakhen nikal'kar apne jibh se saaf kar'ke ungliyon se tappa marte... "Pratham bhaya, inhe nipta'kar kanche khelenge..."


Haiwaniyat dekh'kar bache log bhagne ki kosis karne lage, lekin koi ek inch bhi apni jagah se hil na paye.… "Bhaya wo choklet ki ad manne bahut pyara lage, jisme sar futkar chocklet nikle se"…


Arf:- Tu to pura filmi ho gaya re gotiya…

Pratham:- Uffff ye Jivisha ka jaduuu... Har koi ussi ke rang me ranga najar aata hai.. koi mere dil ki bechaini ko bhi sambhalo doston, Jivisha se milan karwa do, uski tarap me hum bhi filmi ho gaye aur ab to pura kunwa hi filmi hua ja raha..… chalo Yuvi bhaya thari ikchha bhi puri karte hai.. dimag se chocklet bahayen...


Charo ore kewal maut se pahle ki ek chinkh aur sar ke ander ka pura mal-materiyal dono hatheli ke upar aur niche se bahkar farsh par... Eklauta boss ko chhod'kar, chirtre huye sar ke sath sabhi ki lashen jamin par pari thi.…


Arf:- Dar gaya kya be kide... Ab bata kyon aaya tha...


Wo boss itne gahre sadme me tha ki kuchh bol na paya.… "Markes yahan ki safai kro aur iss boss ke dimag ka tala khol'kar paison ki detail le lo aur yahan ke nukshan ki bhadpai karo"…


Arf ne bus apne mann me kahi ye baten aur turant hi uske 6 log wahan pahunche. Kafi teji ke sath sab kuch saaf karte, Markes boss ke dimag ke ander the. 2 second baad jab Markes bahar nikla, wo boss apne pran tyag kar'ke jamin par...


Lajmi hai jo mahol aapne dekha aur jis kururta ka anubhav aapne kiya, yadhpi yah kisi aam insan ke kritagya nahi the. Apni siddhi aur super-natural power se khud ko prakriti ghoshit karne wale tha ye Surpmarich.


Ye char nahi balki ek the aur ussi ekalute Surpmarich ne khud ko 4 alag roop me pariwartit kiya tha. Yah koi cloning nahi thi aur na hi apne jaise logon ko banaya tha. Surpmarich ne apna hi 3 aur khud ka nirman kiya tha… purn Surpmarich jo hazar salon se kewal apna sharir to badal raha tha, lekin apni buddhi aur bal ko purn roop se ek sharir se dusre sharir me pariwartit karta chala gaya...


Jab bhi iska koi ek sharir marta, Surpmarich ka dusra roop usse sanrakshit karke naya sharir deta. Yahi ek vajah hai ki ye apne haarne wale dushmano se bhi nirbhik hokar ladta tha… Dimag me ander ghusne ki adbhut kala inhe sabse khatarnaam banati thi. Kisi bhi dimag ke ander ye ghus sakte the aur pure brain ko he tahas nahash karke apne dushmano ko harane me saksham the...


Jinka dimag kafi majboot hota aur prakram bal Surpmarich se adhik, unke hath bhale hi Surpmarich ko shikast mili ho. Kintu ye jitni der unke brain me hote, unki yaden ghatnayen, shaktiyan churate rahte... Isi ka natija tha ki antim yudh me jab Surpmarich ko shikast mili, tab bhi ye Jivisha, Nischal aur Serin ki yaden, unki sochne ka najariya aur bahut kuch chura chuka tha….


Wo teeno Surpmarich ka gala kaat'kar girane me lage huye the aur Surpmarich apni bhawishya niti taiyar kar raha tha… Issi ka ek natija yah tha ki Nischal, Serin aur Jivisha ke dimag se un aham yadon ko hi Surpmarich ne mita diya, jiske dum par ye teeno fir se Surpmarich ke pichhe aate...


Haalanki tha to teeno ke liye Surpmarich mara hua, lekin kisi ghatna ne Nischal ke samne inke astitw ko jahir kar diya. Waise iss baar Surpmarich ko in teeno se ladne aur unhe litane me koi khas shamasya nahi hoti, kintu Jivisha, Nischal aur Serin ki yadon se mili jankari itni aham thi ki Surpmarich ab sidha apne uss dushman se bhidne ki taiyari me tha, jiske paas jaane se Surpmarich ki ruh, yani ki uski siddhiyan aur shakti bhi jaane se kaanpti thi...


Astak... Ant'hin universe ka ek kurur shashak... Jo andhre universe ko pichhle kayi hazar salon se jit'te huye aage badh raha... Pura Dark Universe, universe mahasagar ka dushwa hissa hoga... Kalpna se pare faila andhkar ke kshetr me lagbhag 20 hazar grah honge... Sabhi grah ke shashak ek ho'kar yudhh lad rahe the aur Astak akela...


Surpmarich apne ek mitr Awesh ke nimantran par Astak ko chhal se harane gaya tha… Surpmarich ki niti yah thi ki shakti churane wale patthar ko bahar se rakha jayega aur uske dimag ke ander ghus'kar wo Astak ko kamjor kar dega... Jis'se uska bal patthar me kaid ho jaye aur uske dimag ki siddhiyan Surpmarich ko mil jaye...


Socha to Surpmarich ne bilkul sahi tha. Lekin usse Astak ke bare me kuch pata nahi tha, wo hazar kilometer dur se apne dushman ko sungh sakta tha. Surpmarich to uske kshetr me ghusa hi tha aur usse khud bhi pata nahi chala ki kab wo maut ke aagosh me tha aur uska kimti patthar Astak ki beti Hella ke pass.


Surpmarich ne Hella ko dekha tak nahi, uss se pahle hi usse maut ne nigal liya tha. Aur yahi hua tha agle 3 aur baar. Uss waqt Surpmarich kewal apne ek roop ko banane me kamyab he hua tha, aur wahi Surpmarich ko punah sanrakshit karta raha...


Surpmarich ko aksar ye baat khalti thi... "Yadi 2 ansh Hella ke sath bhidte, to ho sakta hai jab tak wo ek ko marti dusra uske dimag me ghusne me kamyab ho jata"... Lekin Surpmarich ki suddhiyan itni nahi thi ki apne jaise wo 1 se jyada ansh bana paye. Aisa karne ki soorat me uski sharirik aur manshik shaktiyan vibhajit ho jati…


Lekin Sal bhar pahle huye aakhri yudh me Surpmarich ko wah sab mil chuka tha, jiski usse sadiyon se talash thi... Vish Nilayani ki aanshik shaktiyan... Wo shaktiyan jisne mahaj ek jivan chakr me Surpmarich ko ghutno par la diya… yakinan Vish Nilayani wo thi, jiske sahash aur buddhi ke aage Surpmarich tinka tha…


Jivisha ke dimag se ki gayi chori ne Surpmarich ko itna kabil bana diya ki uske pass uske 2 naye ansh aur the... Arf aur Joy... Iss se pahle Surpmarich ke pass kewal Yuvi tha aur wo bhi Himalya me chhipa rahta. 4 ansh hone ke baad Yuvi bhi apne purn jivan kaal me pahli baar bahar ki duniya ka purn aanand le raha tha...


Suchna ke mutabik Jab se unhe pata chala tha Hella ne Dark universe ki seema laangh lee hai... Ek baar aur Surpmarich, Hella se bhidne ko taiyar tha.… Yahi vajah thi ki Pratham aur Joy, 1 purana 1 naya ansh, apne 40000 trained sipahi jo kafi tej the, in logon ki tarah kisi ke bhi brain me ghus sakte the aur dushman ke dimag se chheh-chhaad karne me saksham the… sath ja rahe the...


Pahla nishana inka apna grah Zoren tha, jahan pahle bhi Surpmarich, Mahamahim ke jariye shasan karta tha. Ab wahan niwasi ko prashikshit karke fauj banayega… Zoren ke baad dusra uska shikar the Final Planet, jahan se kuch dino pahle Nischal lauta tha.…


Is waqt Aizem aur Horiyant 2 aise grah the jahan Surpmarich khud ko dur kiye huye tha. In do grahon me koi ghuspaith nai aur naa hi wahan se apni sena ko badhane ka koi irada tha. Ek grah par Nischal tha to dusre grah ka shasak kafi buddhiman, sath hi sath uska beta HuYu ke bare me aaj kal kafi charchayen bhi thi..


2 ansh Prathan aur Joy chal chuke the Zoren ke ore aur prithvi par rah gaya tha Yuvi aur Arf. Dono jivan aanand uthane ke sath-sath apne 2 ansh ke barabar ki siddhiyon par kaam karte, sath hi sath chuninda logon ko apna purn gulaam banakar unhe ladai ke liye prashikshit bhi unhe hi karna tha...
 

Top