Thriller KAYAKALP

Bᴇ Cᴏɴғɪᴅᴇɴᴛ...☜ 😎
1,621
5,929
143
Update - 03
━━━━━━━━━━━━━

Aisi hi baate karte huye dono bahne gungun railway station pahuch gayi. Neelam apni badi bahan se gale lag kar mili uske baad wo ek local train me savaar ho gayi. Kuchh hi der me train station se chal padi. Ritu apni bahan ko akele yu jaata dekh apni aankho ko chhalak padne se rok na saki thi. Jab train uski aankho se kaafi door chali gayi to wo palti aur plateform se baahar aa gayi. Baahar aa kar w apni police car me baithi kuchh der tak khud ke jazbaato ko kaabu karti rahi uske baad usne car ko start kiya aur apni saheli ke ghar ki taraf chal padi.

━━━━✦༺❁༻✦━━━━

Ab Aage_____

"Kaam ho gaya hai boss." Arjun sahay ke mobile se uske kaano me ye waakya goonja____"Jaisa aapne kaha tha hamne theek waisa hi kar diya hai."
"Poori baat bataao." Arjun ke chehre par ekaek hi chamak aa gayi thi____"Is wakt kaha hai wo?"

"Hamare ek aadmi ne phone par bataya tha ki wo apne office se raat saadhe das baje nikli thi." Udhar se arjun sahaay ke kaano me kaha gaya___"Is liye hamne waisa hi kiya hai jaisa aapne plan banaya tha. Yaani office se ghar jaane ke beech me jo sunsaan raasta padta hai ham usi raaste par chhup kar uske aane ka intzaar karne lage the. Jaise hi hame door se uske car ki jalti huyi head light nazar aayi waise hi hamne beech sadak par wo kanteela taar lamba kar bichha diya tha. Kuchh hi der me uski car aayi aur us kanteele taar ke upar se guzar gayi. Jisse taar par maujood lohe ki majboot keelein uski car ke taayaro par dhans gayi aur taayar ek tez aavaaz ke saath hi panchar ho gaye. Uski car kuchh door tak unbalance ho kar lahraayi magar usne samhaal liya aur phir sadak ke kinaare rok diya. Is beech hamne jaldi se us nukeele taar ko sadak se kheench liya tha. Udhar car se utar kar us ladki ne apne mobile ki roshni me car ke pahiyon ko dekha to uski bhrikuti tan gayi. Usne gusse me zor se car ke ek pahiye me laat maari thi."

"Bas bas kitna bolta hai be." Arjun ne beech me hi udhar ki awaaz ko kaatte huye kaha___"Ab ye bata ki is wakt wo kya kar rahi hai?"
"Kuchh der tak to wo car ke baahar hi khadi idhar udhar dekhti rahi thi boss." Udhar se kaha gaya____"Uske baad usne apne mobile se kisi ko phone kiya magar phir gusse se usne mobile phone ko liye car ke andar baith gayi. Is wakt bhi wo car ke andar hi hai."

"Haan shayad usne apne dad ko phone lagaya hoga." Arjun ne sambhaavna byakt ki, bola___"Chal theek hai lakhan. Tum logo ne bahut achhe se apne kaam ko anjaam diya hai. Abhi tum log us par nazar jamaye rakhna. Ham aate hain kuchh der me."

Arjun ne kahne ke saath hi call cut kar ke mobile pocket me daala. Uske hotho par jaandaar muskaan ab bhi kaayam thi jaise usne koi bahut badi jeet haasil kar li ho. Is wakt wo apni car ki driving sheet par baitha tha. Call cut karne ke baad usne pahle kuchh palo tak kuchh socha aur phir car start kar car ko jhatke se aage badha diya. Zahen me tarah tarah ke khayaal bunate huye wo bahut hi kam waqt me us jagah pahuch gaya jis jagah par sadak ke kinaare safed rang ki ek BMW car khadi thi.

Arjun sahaay ne us car se lagbhag pachaas metar ki doori par ja kar apni car ko ronka. Shayad wo ye dikhaana chaahta tha ki uski nazar BMW car par achanak hi padi thi aur usne socha ki shayad yaha par koi kisi museebat me hai. Khair, arjun sahaay apni car ko reverse karte huye waapas us jagah aaya jaha par vo car khadi thi.

Car left side khadi thi is liye uski driving sheet arjun sahaay ki taraf hi thi lekin ek hi disha me hone ki vajah se khud arjun sahaay ki driving sheet bhi daahini taraf thi jisse wo apne left side khadi car me baithi ladki ko dekhne ke liye apni sheet se khisak kar baayi taraf aa gaya tha. Uski nazar driving sheet par bhannaayi huyi baithi ladki par padi. Udhar jaise hi us ladki ne apne paas aayi car me baithe arjun sahaay ko dekha to uske chehre ke bhaav ekdam se badal gaye.

"Are maya tum???" Arjun sahaay ne is tarah acting ki maano use maya ko is wakt yaha is tarah dekh kar badi hairaani huyi ho, bola___"Tum yaha par is wakt kyo car ronke huyi ho? Maine tumhaari car ko anayaas hi pahchaana tha, mujhe laga ki car jaani pahchaani hai is liye khud ko is taraf aane se rok na saka."

"Wo darasal meri car panchar ho gayi hai." Maya ne teekhe bhaav se kaha___"Is kameeni ko bhi abhi hi panchar hona tha. Is wakt bhala main kise bulaati ise theek karaane ke liye? Dad ko call kiya to bole ki unhe aane me do ghante lagenge kyonki wo out of town hain. Halaaki unhone hamaare ek naukar ko bhejne ke liye kaha hai."

"Naukar ko???" Arjun sahaay ne ajeeb bhaav se kaha___"Oh to iska matlab tum naukar ke saath yaha se jaaogi. Ye to had ho gayi maya. Tumhe mujhe phone karna chaahiye tha na. Aakhir tumhaara sabse achha dost hu main. Khair, chalo aao baitho meri car me aur chalo yaha se. Yaha par itne samay tumhaara akele rahna safe nahi hai."

"What do you mean safe nahi hai? Are main kya darti hu kisi se?" Maya ne pahle ki tarah hi teekhe bhaav se kaha____"Marcel art me black belt haasil kiya hai maine. Do chaar ki to main yu hi khel khel me haddiya tod dugi. Yaha se mera roz ka aana jaana hai. Abhi tak to aisa kuchh hua nahi aur agar hua bhi to mujhe khud par yakeen hai ki main apni suraksha kar lugi."

"Mujhe pata hai meri maa." Arjun ne kaha____"Lekin ab jab ki main yaha aa hi gaya hu to chalo mere saath. Main tumhe tumhare ghar chhond duga, uske baad main apne ghar chala jaauga. Tumhaara naukar kya pata kitni der me yaha aata hai? Dusri baat naukar ke saath jaana bhi tumhaari shaan ke khilaaf hi hai."

"Haan ye to tumne sahi kaha arjun." Maya ne kaha___"Aur isi baat par abhi kuchh der pahle main dad se gussa bhi huyi thi. Khair main dad ko phir se call karti hu aur unhe bata deti hu ki wo naukar ko mana kar de yaha aane ke liye. Main unhe bata deti hu ki main tumhaare saath aa rahi hu."

"Haan bilkul mana kar do tum." Arjun ne man hi man khush hote huye kaha____"Lo maine darwaza khol diya hai tum andar aa jao. Hawa tez ho rahi hai aisa lagta hai jaise baarish hogi. Aise me yaha rukna bhi theek nahi hai."

Arjun sahaay ki baat sun kar maya fauran hi driving door khol kar car se neeche utri aur phir uska gate band karke arjun ki car ke khule huye darwaze se andar aa kar arjun ke bagal se baith gayi. Arjun dekh chuka tha ki maya ne is wakt safed shirt aur neeche ek black colour ka chust sa top pahan rakha tha. Car ke andar light jal rahi thi is liye ghutno ke halka upar aur fir neeche poori taange beparda nazar aa rahi thi. Doodh jaisi gori aur chikni sapaat taango par nazar padte hi arjun ne andar hi andar ek aah si bhari. Ghutno se upar uthte huye uski nazar maya ke seene ke ubhaaro par thahar gayi. Safed shirt ke do button khule huye the is wakt jisme se uske dudhiya jism aur dono ubhaaro ke beech ki halki si daraar dikh rahi thi. Uske upar uski surahidaar gardan thi. Gulaab ki taaza khili huyi pankhudiyo jaise honth aur sheep si gahri neel si jheeli aankhe. Maya ki khubsurti ka arjun shuru se hi diwana tha.

Arjun sahaay ek behad hi ayyaas aur ladkibaaz naujawaan tha. Usne kuchh hi palo me maya ko dekh kar apni nazro ko halka sa tript kar liya tha. Uske baad usne car ko aage badha diya tha. Idhar maya apne mobile par apne dad se baat kar rahi thi.

"Ho gayi baat??" Maya ko apne kaan se mobile hataate huye dekh arjun sahaay ne ek nazar uski taraf daalne ke baad puchha tha.
"Haan maine unhe bata diya hai." Maya ne kaha____"Kah rahe the ki theek hai agar arjun saath hai to."

Uski baat sun kar arjun sahaay man hi man muskura utha tha. Arjun sahaay ka baap ajeet sahaay ne usse kaha tha ki wo maya ke ird gird hi rahe aur uska har tarah se khayaal rakhe. Chhoti chhoti baato ka khayaal rakhte huye wo uski har baat maane taaki uski nazro me uski achchhi chhavi ban jaye. Ye kaam wo abhi kuchh saalo se hi kar raha tha. Iske pahle wo paanch saal ke liye desh se baahar chala gaya tha. Darasal arjun sahaay par ek ladki ke rape ka case ban gaya tha, jiske chalte uske baap ajeet ne tikdam kar ke kisi tarah maamle ko coart tak nahi pahuchne diya tha magar isse uska nuksaan ye ho sakta tha ki uske bete ki image jagmohan singhaniya ki nazro me kharaab ho jaati. Us case ki jaankaari jagmohan ko nahi huyi thi kyonki wo us samay yaha tha hi nahi. Ajeet sahaay ne socha tha ki arjun apni javaani ke nashe me kahi aur bhi kuchh ulta seedha na kar baithe jisse uske sapne nestanaaboot ho jaaye is liye usne apne bete arjun ko kuchh saalo ke liye videsh bhej diya tha. Idhar pichhle do saal pahle hi arjun sahaay vaapas yaha aaya tha aur tab se wo apne baap ke nirdesh par maya ko apne pyaar ke jaal me fansaane ki jugat laga raha tha magar ab tak kaamyaab nahi hua tha. Halaaki maaya se uski dosti ho gayi thi lekin ye sirf dosti hi thi. Isse aage badhne ki himmat arjun sahaay kar hi nahi pa raha tha. Iski wajah ye thi ki maya bahut hi garam mizaaj ladki thi. Use pyaar vyaar jaisi baate bakvaas lagti thi. Uska poora focus apne dad ke business par tha. Doosri baat apni khubsurati ka aur paiso ka ghamand bhi tha use jiske chalte wo arjun sahaay jaise third class waale ladke par waisi nazar hi nahi daalna pasand karti thi. Uski ek hi soch thi ki duniya ki har cheez uske qadmo me ho. Dimaag kaafi tez tha uska. Jab se usne apne dad ke business me apna haath rakha tha tab se business me kaafi jyaada tarakki huyi thi. Dheere dheere aisa hota gaya ki company ke har kaam me uska hi faisla hone laga. Agar uske faisle par koyi savaal khada karta to phir use uske khatarnaak gusse ka bhi saamna karna padta tha. Suna to ye bhi gaya tha ki usne company ke kayi aise employees ko jhannatedaar thappad jad kar company se out kar diya tha. Isse company ka to koyi nuksaan nahi hua lekin uske kayi dushman zaroor ban gaye the. Jagmohan singhaniya ko apni beti ki kaabiliyat par andhadhundh naaz tha. Wo khud bhi kabhi apni beti ke faislo par koi aapatti nahi jataata tha. Use pata tha ki uski beti ka har faisla aur har plan hamesha sateek aur perfect saabit hota tha.

Maya ek aisi ladki thi jiske kirdaar ko itna jaldi koi samajh bhi nahi paata tha. Iska kaaran ye tha ki use kisi ki baat kab aur kaise buri lag jaye aur use kab gussa aa jaye kisi ko koi andaaza nahi hota tha. Doosri important baat ye thi ki uski soorat aisi thi ki pahli nazar me koi ye yakeen hi nahi kar sakta tha ki ye itni gusse waali ya khatarnaak ladki ho sakti hai. Uske chehre ki masoomiyat in cheezon ka mahaj apvaad thi.

Kuchh hi der me arjun sahaay ki car ruki. Car ke rukte hi maya darwaza khol kar car se neeche utar gayi. Uske baad usne arjun ki taraf dekh kar haath hilaaya aur phir bina kuchh kahe apne shaandaar bangle ke andar ki taraf badhti chali gayi. Uske yu chale jaane par arjun ko gussa to bahut aaya lekin phir usne use jazb kiya aur car ko aage badha kar waapas main sadak ki taraf badha diya.

Arjun sahaay jab apne ghar pahucha aur dring room me daakhil hua to uski nazar sofe par baithe apne baap ajeet sahaay par padi. Wo use dekh kar bola to kuchh nahi bas ja kar khud bhi ek sofe par baith gaya. Ajeet sahaay ne sir ghuma kar apne bete ki taraf dekha. Anubhavi ajeet sahaay turant taad gaya ki uska beta is wakt gusse me hai.

"Kya baat hai barkhurdaar?" Ajeet sahaay ne muskuraate huye pucha____"Chehare par itna gussa kis baat par kaayam kiye ho? Kisi se koi baatcheet ho gayi hai kya? Agar aisa hai to yakeenan ye achha nahi hai. Tumhaari image kharaab hone ka matlab hai ki sab kuchh bigad jaana."

"Aisi koi baat nahi hai dad." Arjun ne kheejhate huye kaha___"Wo saali do take ki ladki samajhti kya hai apne aapko?"
"Are! kya hua beta?" Aeet sahaay ekdam se uski taraf ghoom kar baith gaya, phir chintit bhaav se bola___"Kis ladki ki baat kar rahe ho tum? Kahi tum maya ki baat to nahi kar rahe?"

"Haan dad." Arjun ne apne baap ki taraf dekha___"Main usi magroor ladki ki baat kar raha hu."
"Are par aisa kya ho gaya hai?" Ajeet sahaay ki dhadkane tez ho gayi thi___"Jisse tum aisa kah rahe ho?"

Arjun ne apne baap ko saara kissa suna diya. Usne bataaya ki kaise usne maya ko andhere sunsaan raaste se uski car ke panchar ho jaane par lift di aur phir use uske ghar chhod kar abhi yaha aaya hai. Usne ye baat poori tarah se chhupa li ki uski hi kartoot se maya ki car panchar ki gayi thi.

"Itni help karne ke baad bhi dekhiye dad." Saari baate bataane ke baad arjun ne kaha___"Us magroor ladki ne mujhe thanks tak nahi kaha. Yaani ki use lagta hi nahi hai ki maine use surakshit ghar pahucha kar uski kitni badi help ki hai."

"Wo aisi hi hai beta." Ajeet sahaay bete ke gusse ki vajah ko samajhte huye bola____"Uski is baat par itna gussa karna achhi baat nahi hai. Tumhe ye samajhna chaahiye ki dudhaaru gaay ki laat maar sab sahni padti hai tabhi hame rasdaar doodh milta hai. Khair, tum chinta mat karo. Maya ne tumhaara dhanyavaad nahi kiya to kya hua main tumhaari ye baat badha chadha kar singhaniya ko zaroor bataauga aur aise andaaz me bataauga ki uski nazar me tumhaari image zero se hero waali ban jaye. Waise bhi tumhe kuchh aisa karte rahna hai jisse singhaniya ko lagne lage ki maya ke liye tumse achha ladka doosra koi ho hi nahi sakta. Ek baar, bas ek baar aisa ho jaye phir dekhna aage ka program settle karne me zyada waqt nahi lagega."

"Ye tedhi medhi baate meri samajh me nahi aati dad." Arjun ne kaha___"Maine to bas aapki vajah se khud ko roka hua hai warna mera to ek hi rule hai ki jo cheez pasand aa jaye use kuchh bhi kar ke haasil kar lo aur phir uska ras nichod kar use kachre ki tarah fenk do."

"Tumhaara ye rule nihaayat hi ghatiya kism ka hai mere bete." Ajeet sahaay andar hi andar tilmila gaya tha, bola___"Apne isi rule ki wajah se tum musibato me fanste ho aur phir tumhe un musibato se nikaalne ke liye mujhe jaane kitne paapad belne padte hain. Main ye nahi kahta ki tum apni khwaahisho ko maar do balki main sirf ye kahna chaahta hu ki tum apna tareeka badlo aur thoda dimaag se bhi kaam lo. Ek baat hamesha yaad rakho ki bure insaan ko koi bhi shareef aadmi ehmiyat nahi deta balki wo us bure insaan se saari umar door hi rahne ki koshish karta hai. Aise byakti se koi apni ladki ki shaadi karne ke baare me khwaab me bhi nahi soch sakta. Is liye beta, sab kuchh karo magar is prakaar se ki wo kisi ki bhi nazar me ya jaankaari me na aa sake."

Ajeet sahaay ki in baato ka arjun ne koi javaab nahi diya balki sir neecha kiye shoonya me ghoorta raha jabki apne bete ki is chuppi aur avastha ko dekhte huye ajeet sahaay pahle to kuchh pal chup raha phir usne ek gahri saans li.

"Meri baato ka bura mat maanna beta." Ajeet sahaay ne santulit lahje se kaha___"Main ye jo kuchh bhi kah raha hu yakeen maano isi me mera aur tumhaara bhavishya ek ujjval bhavishya banega. Hame apna har kaam bade dhairya se aur badi hoshiyaari se karna hai. Chhoti chhoti baato par yu gussa karne se bani banaayi baat bigad jaayegi. Hame tab tak unke saamne jhuke rahna hai ya unse dabe rahna hai jab tak ki wakt aur halaat hamaare haq me nahi aa jaate. Tum samajh rahe ho na meri baat??"

"Ya..yes dad." Arjun ne dheeme swar me kaha___"Main poori koshish karuga ki meri vajah se maamla bigadne na paye."
"Very good." Ajeet sahaay khush hote huye bola___"Ek baat aur, pyaar mohabbat me badi taaqat hoti hai aur uska asar bhi bahut hota hai. Apne character ko thoda saaf banaao aur maya ke aage peechhe rahte huye uske liye aise aise kaam karo ki use tumhaare har kaam par kuchh khaas nazar aaye aur phir use ehsaas hone lage ki tum uske liye kitne important ho? Har ladki ki yahi tamanna hoti hai beta ki use jeevan me ek aisa saathi mile jo use bahut pyaar kare. Uski har khwaahish ko pal me poori kar de aur uska har tarah se khayaal kare. Jab tum is tarah ki cheeze uske liye karte huye use dikhaaoge to use ek na ek din zaroor ehsaas hoga ki tum hi wo saathi ho jo har ladki ki tamannaao me shumaar hota hai. Main maanta hu wo ladki bahut hi zyaada magroor aur ziddi hai aur vo apne standard ke neeche waalon ki taraf dekhna bhi pasand nahi karti hai lekin ye bhi to socho ki pahle me aur ab me kitna fark hua hai. Pahle wo tumhaari taraf dekhti tak nahi thi, jabki aaj usse tumhaari dosti ho chuki hai. Mujhe poora yakeen hai bete ki der se hi sahi magar wo din bhi zaroor aayega jab ye dosti pyaar me badal jayegi. Uske baad to maya khud hi apne baap se kahegi ki wo tumse shaadi karna chaahti hai. Uska baap uske faisle ko kabhi aswikaar nahi kar paayega kyonki use apni beti ke character ka bakhubi pata hai."

Arjun sahaay apne baap ki in saari baato ko bade gaur se sun raha tha. Ye baat to wo khud bhi maanta tha ki pahle me aur ab me bahut fark aa gaya tha. Is liye use apne baap ki baanki baato par bhi yakeen tha. Usne man hi man soch liya ki ab wo waisa hi karega jaisa uske baap ne kaha hai. Jaane kya soch kar ekaek hi uske hotho par badi jaandaar muskaan ubhar aayi. Ajeet sahaay uske hotho par ubhri us muskaan ko dekh kar samajh gaya ki uska beta ab waisa hi karne ki poori koshish karega jaisa usne use samjhaaya hai.

□□□□□

Samandar ke kinaare chattaan par baithe shakhs ki jab sharaab ki bottle poori khaali ho gayi to use khayaal aaya ab use yaha se jaana chaahiye. Halaaki is ekaant se uska jaane ka zara bhi man nahi kar raha tha lekin phir bhi jaane kya soch kar wo utha aur apne haath me li huyi khaali bottle ko samudar ki lahro ki taraf uchhaal diya. Uske baad wo palta aur waapas apni car ki taraf chal diya. Hairat ki baat thi ki uski chaal me ab bhi koi ladkhadaahat nahi thi.

Car ki driving sheet par baith kar usne apne paint ki pocket se mobile nikaala aur usme ek button daba kar screen on ki to pata chala ki wafa naam se bayalees miss call pade the aur chaar messages bhi the. Aisa pahli baar hua tha ki uske mobile par wafa ne message bheja tha. Ye dekh kar shakhs ne mobile ko saamne dash board ki taraf rakhne ke liye haath badhaaya lekin phir jaane kya soch kar waapas kheench liya. Usne fir se screen ko on kiya aur aaye huye messages par click kiya to message box open ho gaya. Un chaaro hi messages me alag alag waakya likhe huye the.

Un chaaro waakyo ko usne padha aur phir mobile ko dash board me rakh diya. Kuchh der jaane kya sochta raha, uske baad usne car start ki aur jhatke se car ko yu turn dete huye aage dauda diya. Kuchh hi samay me wo usi ghar me pahuch gaya jaha se iske pahle wo nikal kar chala gaya tha. Mukhya darwaze ko itni raat me khula paaya to wo halke se chaunka.

Darwaze ko khol kar wo fauran hi andar daakhil hua aur darwaze ko andar se band kar ke tezi se andar ki taraf badha. Is beech usne mobile ki torch ko on kar liya tha taaki andhere me aage badhne par use koi pareshaani na ho. Tezi se chalte huye wo apne kamre ke darwaze ke paas pahucha. Abhi wo darwaze ke andar jaane ke liye apna daahina qadam badhana hi chaaha tha ki sahsa ruk gaya. Mobile torch ki roshni farsh par padi huyi thi jisme wo ladki darwaze ke bagal waali diwaar ke sahaare hi baithi nazar aa rahi thi. Uski dono taange seedhi thi jabki dono haath agal bagal farsh par jame huye the.

Shakhs ne torch ka focus ladki ke chehre ki taraf kiya to use ek taraf sir kiye soya paaya. Daahine haath ki hantheli me ek chhota sa mobile thama hua nazar aaya. Ye sab dekh kar us shakhs ke chehre par kuchh pal ke liye peeda ke bhaav numaaya huye phir jaise usne khud ko samhaal liya. Kuchh der tak wo apni jagah par khada use dekhta raha phir wo palat kar doosri taraf chal diya. Kuchh hi palo me wo ek doosre kamre me tha.

Doosre kamre ki light jala kar wo vaapas apne kamre me aaya aur phir jhuk kar usne apne ek haath ko neeche se ladki ke ghutno ke thoda upar aur doosre haath se ladki ko uski peeth se samhaalte huye utha liya. Apni baaho me us ladki ko liye wo doosre kamre me aaya aur aahista se ladki ko uske bed par lita diya. Is beech ladki ke hotho se ek hi waakya nikal raha tha___"Khuda ke liye mujhe chhond kar mat jaao."

Bed par litane ke baad shakhs seedha hua hi tha ki usne dekha ki bed par padi wo ladki kunmunaayi aur phir shaant ho gayi. Shayad gahri neend me thee wo. Shakhs ne uske pairo ke paas padi chaadar ko us par uske seene tak kheench kar dhank diya. Iske baad wo palta aur kamre ki light band karne ke baad kamre se baahar aakar usne darwaza dhulka diya aur phir apne kamre ki taraf badh gaya.

Apne kamre ki light jala kar usne darwaza band kiya aur bed par aakar dhamm se let gaya. Itni raat ho jaane ke baad bhi uski aankho me neend ka koi naamo nishaan nahi tha. Hairaani ki baat ye bhi thi ki us par sharaab ka nasha zara bhi samajh me nahi aa raha tha jabki usne do do bottle sharaab paani ki tarah pi gaya tha. Iske pahle bhi usne piya raha hoga to wo alag baat thi.

Night bulb ki roshni me wo chhat par ghoom rahe pankhe ko ghoore ja raha tha jaise waheen par kahi use apne ateet ka koi hissa kisi film ki tarah dikh raha tha.

Flashback______

Use aisa lag raha tha jaise koi zor zor se chilla raha tha aur saath hi use pakad kar hila bhi raha tha lekin kisi ke chillaane ki awaaz use bahut door se sunaayi deti prateet ho rahi thi. Chetna jaagrit to ho gayi thi lekin poori tarah nahi. Sochne samajhne ki shakti ne abhi poori tarah kaam karna shuru nahi kiya tha. Kaafi der tak jab uske kaano me kisi ke chillaane ki awaaz aati rahi aur use kisi ke dwaara buri tarah hilaaya dulaaya jaata raha to jaise usme kahi se praano ka sanchaar hua tha.

Zahen ne thoda sa kaam kiya jiske parinaam swaroop usne badi mushkil se apni aankho ko kholne ki koshish ki thi. Halki khuli aankho se use kuchh nazar na aaya tha lekin is beech jism me tez peeda ka ehsaas zaroor hua. Uske mukh se dard bhari karaah nikli aur phir jaise punah uski chetna lupt hoti chali gayi thi. Uske baad kya hua use kuchh bhi pata na chal saka tha.

Dubaara jab uski chetna jaagrit huyi to is baar aalam pahle jaisa nahi tha, balki is baar use pahle se kaafi zyaada araam aur sukoon sa mahsoos ho raha tha. Mastishk jaagrit hua to uske man me ekaek hi kayi saari baate aur ghatnaaye bijli ki speed se daudne lagi. Jiska nateeja ye hua ki ekaek hi uske chehre par gahri peeda ke bhaav ubhar aaye. Usne patt se apni dono aankhe khol li.

Aankhe khulte hi pahle to use kuchh samajh na aaya, phir usne idhar udhar nazar ghuma kar dekha to chaunk gaya tha. Use yaad aaya ki jab aakhiri baar wo behosh hua tha tab wo kisi car me tha aur kuchh log use majbooti se pakad rakhe the. Us wakt uske andar bhayankar gussa aakrosh aur jism me maujood naso me daudta lahu kisi khaulte huye paani ki tarah ubaal maar raha tha. Wo buri tarah cheekh raha tha aur khud ko unse chhudaane ki ji tod koshish kar raha tha. Use kuchh bhi pata nahi tha ki car me maujood log jo use majbooti se pakde huye the wo use kaha le ja rahe the? Ekaek hi use apni ek baanh me koi nukeeli cheez chubhti mahsoos huyi aur phir uska poora jism sunn sa padta chala gaya tha. Kuchh der baad use aisa mahsoos hua jaise wo kisi thos cheez se takraaya ho aur phir use kuchh bhi yaad nahi rah gaya tha. Uske baad fir ab use hosh aaya tha aur pata chala ki wo kisi pakke makaan ke ek aise kamre me leta hua hai jaha par safed roshni ka tez prakaash hai. Aas paas deevaar me kuchh tasveere lagi thi. Ek taraf ek aalmaari rakhi thi aur doosri taraf ek do plastik ki kursiya rakhi thi.

Kuchh der tak wo lete lete hi ye sab dekhta raha uske baad wo araam se uth kar baith gaya. Use samajh nahi aa raha tha ki ye kaun si jagah hai aur yaha par wo kaise aa gaya hai? Kamre me uske alaava doosra koi nahi tha. Ek madhyam size ke bed par wo uth kar baith gaya tha aur chaaro taraf nazre ghuma raha tha.

Kamre me ek darwaza tha jo band tha. Har taraf ka muaayna karne ke baad sahsa wo khud ki taraf dekhne laga. Is wakt uske jism par koi kapda nahi tha, yaani ki upar se wo nanga hi tha. Ye dekh kar uske chehre par pahle to buri tarah chaunkne ke bhaav ubhre phir sahsa aise bhaav ubhar aaye jaise samajhne ki koshish kar raha ho ki aisa kaise ho sakta hai? Ekaek hi usne apne pet se neeche ki taraf dhanke ek chaddar ko dono haatho se pakda aur phir use apne se aage ki taraf halke se kheencha. Wo dekhna chaahta tha ki jis tarah wo kamar se upar nanga hai to kya usi tarah kamar ke nichle bhaag se bhi nanga hai?

Apni ajeeb haalat par uljhe huye jab uski nazar apne kachhe par padi to uske chehre par raahat ke bhaav ubhar aaye. Ab uske saamne sabse bada sawaal ye khada ho gaya tha ki wo yaha kaise tha aur uske kapde kisne uske badan se alag kiye hain? Abhi wo in sab sawaalo me hi uljha tha ki tabhi kamre ke baahar se do insaano ki awaaz sunaayi di use. Wo ye awaaz sun kar pahle to chaunka phir jaane kya soch kar wo bed par let gaya aur apni aankhe band kar li.

Kuch hi palo me kamre ka darwaza khula aur do byakti kamre ke andar daakhil huye. Un do byaktiyo me ek mard tha jo ki safed coat pahne huye tha. Yakeenan wo byakti doctor tha, jabki doosri ek ladki thi. Ladki samaanya kad kaathi ki hi thi lekin behad sundar nazar aa raha thi. Uske khoobsoorat se badan par salawaar shoot tha aur gale me lipta hua dupatta. Sir ke lambe baalo ki ek lambi si chonti thi jo ki uske hips ke neeche tak jhool rahi thi.

Kamre me aate hi un dono ki nazar bed par pade us byakti par padi thi. Un dono ne pahle uski taraf gaur se dekha phir ek doosre ki taraf dekhne lage.

"Ab tak to is shakhs ko hosh aa jaana chaahiye tha miss wafa." Doctor ne bed par lete shakhs ko dekhne ke baad wafa naam ki us khubsurat ladki se mukhaatib ho kar kaha tha____"Jaisa ki aapne bataaya tha ki aapko ye parson raat ko sadak ke kinaare gambheer haalat me mila tha. Main abhi bhi hairaan hu ki aapne ek ajnabi ke liye itna bada kaam kiya. Kahne ka matlab ye ki raat ke lagbhag gyaarah baje sunsaan jagah par aapne apni car ronki aur phir is shakhs ki haalat ko dekh kar ise apne ghar le aayi. Halaaki aap ise hospital bhi le ja sakti thi magar aapne aisa nahi kiya."

"Karne ko to aur bhi ek cheez thi doctor sahab." Wafa ne kaha___"Jo ki maine nahi kiya tha. Darasal maine jab inhe us haalat me dekha tha to mujhe laga ki zaroor inke kisi dushman ne inki wo haalat ki thi. Pahle to maine inhe hosh me laane ki khud badi koshish ki thi magar jab ye hosh me nahi aaye to maine inhe badi mushkil se apni car me pichhli sheet par litaaya tha aur phir yaha apne ghar le aayi thi. Uske baad maine aapko phone kiya aur aapse guzaarish ki ke aap us wakt jald se jald aa jaaye. Inhe hospital na le jaane ki ek thos wajah ye bhi thi ki maine aksar filmo me dekha hai ki dushman ko jab pata chal jaata hai ki unhone jisko jaan se maar diya tha wo abhi zida hai aur kisi hospital me uska ilaaz chal raha hai to wo log fauran us hospital me pahuch kar uski phir se jaan lene ki koshish karte hain. Yahi wajah is baat par bhi thi ki maine police ko phone karke inke baare me ittala nahi di thi. Mujhe laga kahi filmo ki tarah police bhi inke un dushmano se na mili huyi ho."

"Main bakhubi samajhta hu miss wafa." Doctor ke hotho par halki si muskaan ubhar aayi___"Ki aapne jo kuchh bhi kiya is shakhs ki suraksha ki drishti se kiya hai. Main ye bhi samajh sakta hu ki is sabke peechhe aapki neeyat me koi khot nahi tha lekin haan samaanya byakti ke liye ye ek bada hi vichitra kaam ho jaata hai. Samaanya aadmi is baat ko asaani se hajam nahi kar paata ki ek ladki ne kisi ajnabi ki is tareeke se jaan bachaayi."

"Mujhe kisi ki parvaah nahi hai doctor sahab." Wafa ne kaha____"Bas main kisi bhi byakti ko taqleef me nahi dekh sakti. Mere dwaara agar kisi ka bhala hota hai to main uska bhala karne ki poori koshish karti hu."

"Kamaal ki soch hai aapki." Doctor ne kaha aur phir muskuraate huye bed ki taraf badha. Kuchh der tak shakhs ke chehre ko gaur se dekhta raha uske baad wo punah muskuraaya aur phir palat kar wafa se kaha____"Inhe hosh aa chuka hai miss wafa."

"Ka..kya sach mein????" Wafa naam ki us ladki ke chehre par khushi ki chamak fail gayi, fauran hi qareeb aa kar usne apni aankho se bed par pade shakhs ki taraf dekha usne lekin shakhs ki aankhe band dekh usne sawaaliya nazro se doctor ki taraf dekha.

"Hello young man." Doctor ne wafa ki sawaaliya nazro ko dekhne ke baad seedha bed par pade shakhs ki taraf jhukte huye kaha tha___"Mujhe pata hai ki tum hosh me aa chuke ho aur ye achhi baat bhi hai lekin......"

Doctor lekin bolne ke baad ruk gaya tha kyonki tabhi bed par pade shakhs ne apni aankhe khol di thi, saath hi doctor ki taraf ajeeb bhaav se dekhne laga tha. Doctor uski taraf kuchh der tak dekhta raha.

"Okay, are you feeling better??" Fir doctor ne usi position me us shakhs se puchha lekin uske puchhne par shakhs ne koi response na diya tha. Kahne ka matlab ye ki doctor to doctor khud wafa ne bhi us shakhs se kayi baar puchha aur kayi sawaal kiye magar us shakhs ne un dono se kuchh bhi nahi kaha, balki wo ek tak shoonya me ghoorta raha tha.

Thak haar kar dono hi kamre se baahar aa gaye aur phir doctor ne ek kaagaz par kuchh likha aur use wafa ke haath me pakda diya. Kuchh aur zaroori baate bata kar doctor chala gaya. Dopahar ke wakt chaar byakti aaye the jo ki hospital ke karmchaari hi lagte the. Unhone us shakhs ko badi safaayi se ek injection lagaaya tha jiska asar hote hi wo shakhs behosh ho gaya tha. Uske baad use yaad nahi ki uske saath kya kya hua.

Hospital me raat ke wakt us shakhs ne tahalka sa macha diya tha. Paaglo ki tarah harkate kar raha tha. Uska poora jism laal surkh pad gaya tha. Aadhi raat ke wakt poore hospital me cheekho pukaar ka aalam ho gaya tha. Badi mushkil se doctor ne us shakhs ko ek injection laga kar behosh kiya tha. Puchhne par pata chala tha ki jis din us shakhs ko hospital laaya gaya tha usi raat lagbhag ek baje ek nurse nireekshan ke liye uske ward me gayi thi. Nurse ne dekha ki shakhs ka chehra paseene paseene ho rakha tha aur uske mukh se ajeeb si awaaze nikal rahi thi. Nurse ye sab dekh kar pahle to chaunki thi phir usne apne ek haath se shakhs ke maathe par ye dekhne ke liye haath rakha tha ki kahi use bukhaar to nahi aa gaya hai? Abhi uske maathe par haath rakhe paanch second hi huye the ki shakhs ne patt se aankhe khol di thi. Uske baad usne nurse ki tara dekha aur phir ekaek hi wo nurse par jhapat pada tha. Us par ekdam se wahshiyat taari ho gayi thi.

Apne upar ekdam se aa gayi is bhayankar museebat ko dekh kar wo nurse buri tarah cheekhne chillaane lagi thi. Dekhte hi dekhte nurse ki wo chillaane ki awaaze dard bhari cheekho me badal gayi thi. Us shakhs ne nurse ke kapdo ko nonchna faadna shuri kar diya tha aur use apne bed par patak kar uske upar chadha baitha tha. Hospital me mache is shor gul ka nateeja ye hua ki kuchh hi der me hospital ke kuchh karmachaari aur doctor bhaagte huye is taraf aa gaye the. Uske baad badi mushkil se us shakhs par kaabu paaya gaya tha. Doctor ne shakhs ko behoshi ka ek injection laga diya tha.

Us haadse ke ek maheene baad doctor ne wafa se kaha tha ki wo shakhs unke kisi bhi sawaal ka jawaab nahi de raha hai. Wo ekdam se goonga sa ho gaya hai, ya phir aisa ho sakta hai ki wo sach me goonga hi ho. Uski medical report ke baare me jab doctor ne wafa ko bataaya to report sun kar wafa ke pairo ke neeche se zameen khisak gayi thi. Uske samuche jism me ek ajeeb si jhurjhuri huyi thi.

Doctor ne wafa se kaha tha ki use us shakhs ke baare me police ko bata dena chaahiye taaki police apne tareeke se uske baare me chhaanbeen kare lekin jaane kyo wafa ne doctor se uske liye mana kar diya tha aur khud usse haath jod kar guzaarish bhi ki thi ki wo us shakhs ke baare me kisi se kuchh na bataaye. Doctor wafa ki is baat par behad hairaan hua tha. Use lagne laga tha ki shaayad wafa ko us shakhs ke baare me kuchh to pata zaroor hai lekin usne puchhna zaroori nahi samjha tha.

Us shakhs ki haalat pahle se behtar thi. Yaani ab vo kisi par jhapatta nahi tha. Aisa is liye tha kyonki uske paagalpan ko rokne ke liye use chaubees ghante me ek injection lagaaya jaana anivaary tha. kaafi mashakkat ke baad aakhir hua ye ki wafa naam ki ladki us shakhs ko apne saath apne ghar le aayi. Doctor ne iske liye shakhti se mana bhi kiya tha lekin wafa ne kaha tha ki wo khud ek doctor hai is liye itna to ab wo uska aur usse khud ka khayaal rakh hi sakti hai. Wafa ki baat sun kar doctor hairaan pareshaan sa dekhta rah gaya tha use.

Wafa us shakhs ko lekar jab apne ghar aayi to wo us wakt chaunk padi thi jab usne achaanak hi us shakhs ki awaaz suni thi. Ye pahli baar tha jab us shakhs ne apne mukh se kuchh kaha tha.

"Tum mujhe yaha le to aayi ho." Us shakhs ne ajeeb si kathorta se kaha tha___"Lekin ek baat meri bhi sun lo aur wo ye ki main is ghar me tabhi rahuga jab tum mujhe ye vachan do ki tum mujhe jis kamre me rakhogi us kamre me nahi aaogi aur na hi zyaada der tak mere saamne rahogi."

"Tumhaare liye mujhe sab kuchh manjoor hai." Wafa ki aavaaz sahsa bhaari ho gayi thi, aankho me paani jhalakne laga tha, boli____"Baad muddat ke mile bhi to aise aur aise karaar ke saath? Khair koi baat nahi, tum jaisa kahoge waisa hi hoga. Mere liye yahi bahut badi baat hai ki tum mere....nahi nahi hamaare is ghar me rahoge. Lekin ek baat main bhi kahna chaahugi tumse aur wo ye ki jis tarah ki tumhaari haalat ho gayi hai aur jis tarah ki tumhe bimaari ho gayi hai usse agar thodi si bhi nijaat paane ka tumhaara dil kare to mujhe yaad kar lena. Tumhaare liye kuchh bhi kar jaaugi main."

Wafa ki baat sun kar shakhs ne koyi jawaab nahi diya balki chehre par ubhar aaye apne gusse ko jazb karte huye wo ek jhatke se ek kamre ki taraf badh gaya tha. Uske baad aise hi din raat guzarte rahe the. Wafa hamesha usse puchhti ki uski zindagi me aakhir aisa kya hua tha jiski vajah se aaj uski ye haalat ho gayi hai magar usne kuchh na bataaya tha. In sawaalo par wo shakhti se apne honth sil leta tha aur ghar se baahar chala jaata tha. Is beech kayi baar wo doctor bhi aaya tha. Usne us shakhs ko samaanya bhaav se bolte dekha to use hairaani ke saath achha bhi laga tha. Usne bhi us shakhs se kuchh baate bataayi thi aur ye hidaayat bhi di thi ki wo apne samay par us injection ko apne jism par zaroor lagaye. Uske marz ka ilaaz to mumkin tha kintu wo shakhs khud nahi chaahta tha ki use us azaab se mukti mile.

Din ko to wafa ek private hospital me rahti thi lekin raat me aa jaati thi. Usne bahut koshish ki thi ki wo us shakhs se uski niji zindagi ke baare me kuchh jaan sake magar wo kabhi kaamyaab na ho saki thi. Saara din wo shakhs pata nahi kaha gaayab rahta tha aur phir raat ko gyaarah ya fir baarah baje ke aas paas hi lautta tha. Ghar ki ek chaabhi wafa ne khud hi use de diya tha. Wafa jab bhi uske qareeb aane ki koshish karti to wo use badi kathorta se daant deta aur yaad dilaata ki un dono ke beech kya karaar hua tha?

Uski kathorta aur uske is rookhe byohaar se wafa ka dil chhalni ho jaata tha aur phir wo apne kamre me bed par lete lete khoob roti thi magar phir ye tasalli karti ki jise usne toot toot kar chaaha tha aur jiske haasil hone ki koi ummeed hi nahi thi wo aaj uske ghar me uske itne qareeb to hai.

Present_____

Apne ateet ke ek maamuli hisse me khoye huye us shakhs ko jaane kab neend aa gayi iska use pata hi na chala. Ek do ghante baad subah hone waali thi. Aane wali subah aur aane wala waqt jane kaun si saugaat liye khada tha?

━━━━✦༺❁༻✦━━━━
 
A

Avni

Fabulous update.
Kya neelam ko aese akele jane dena sahi tha?
maya , arjun aur ajeet teeno manjhe huye khilaadi hai apne apne fied me. Maya ek safal business woman hai vohi arjun aur ajeet me burai , lalach ka dusra roop hai. ajeet ka ek sapna hai. kaise bhi karke singhania ki ek loti beti maya ko apne ghar ki bahu banake Sare business empire ko apne aur apne bete ke naam kiya jaye. jahir si baat hai is sazis me uske bete ka bhi hath hai. arjun lagatar kosish kar raha hai ke kuch bhi karke maya ko impress ho jaye. lekin maya itni asani se unke sazis me nahi fansne wali. usko na to pyar mohabbat me koi interest hai aur na hi shadi jaise riste me bandhne ki..dekhna ye hai ke maya kaise arjun aur ajeet ki sazis se khud ko bachati hai.
us ladke flashback bahut dardnaak tha. par abhi wafa ki halat dekh dukh ho rahi hai. us ladke sath jo kuch bhi hua uske dusman ne kiya. isme wafa ki kya galti. wafa ke sath aisa saluk kyun kar rha hai. ajj ke jamane me itna kuch dusro ke liye bhala koun karta hai. kitna chahti hai wo use.kya wafa ankho me vo chahat dikhai nhi deta use . itna sakht mizaaj hoke wo ladka khud ke dil ko dard de raha hai. maya, singhania, ajeet aur arjun ko chhodke baki sabhi ke dil me bas dard hi dard chupa hai. 😔
 
ᴋɪɴᴋʏ ᴀꜱ ꜰᴜᴄᴋ
995
1,082

maya ka story par ana dhamakedar tha. had se jyada attitude ,
kafi khatarnak aur gusse wali ladki bhi hai, brain with beauty dangerous combination.mujhe nahi lagta ke itni easily arjun sahaay usko pata payega. jhanse me lene ke chakkar me kahi toufe me thappad na mil jaye arjun ko. aur arjun me dhariya naam ki koi chij nahi hai. usko jo pasand aa jaye use jalbaji me hasil karna jyada pasand hai use. par maya ke matter me aisa karne gaya to muk ki khani padegi usko. ajeet ko bhi yahi dar tha . isliye usko samjha raha tha ke jo bhi kare soch samjh kar kare .
wafa ek naik dil ladki hai. aur use us saksh se pyar hai,ye bhi sach hai . wafa ke dil me jo daya thi woh pyar me badal gaya. par ajib kasmakas ki halaat thi. Kyuki us saksh ke sath jo hua tha iske karan use aurat jaat se sakht nafrat ho gayi thi. ab wo saksh wafa kya kisise bhi pyar nahi karne wala tha .
 
Eaten Alive
4,118
4,183
143
1) ab jab my favorite pratima ji kahin chali gayi hai ....isi wajah se ab se meri favorite one hogi great Maya :dwarf: coz mujhe aise hi kirdaar zyada pasand hai.... jo kiski naa sune bas apni mann marzi chaalaye :dwarf: :D

2) saral aur nirmal mann ka ladki maya.....pyari bholi bhali masoom ladki maya...swabhimaani aur dariya dili ka dusra roop hai maya ji ...shadgi aur simplicity ki paribhasha hai maya ji ... family aur dosto ke liye jaan bhi kurbaan karne wali Maya ji.....mamta may, samajhdaar, sanskari guno se paripoorn Maya ji .....sabko ek nazar se bina bhed bhav ke dekhne wali Maya ji... talented hai par koi ghamand nahi, na koi abhiman.. ye hai humari no 1 story innocent character Maya ji .....komal mann aur dayalu Maya ji ....smart , padhayi mein abbal aur business mein topper hai Maya ji...

3) ab itne guno wali humari bholi bhali Maya pe kuch kamino ki buri nazar lage... isko katayi bardaasht ki nahi jaayegi :dwarf: sabko saza milegi baari baari :dwarf:
Sadak ke dhave pe cup plate dhone wale arjun aur ajeet ki mazal ki The great Maya ko leke sadyantra kare... aisi chaal chale . .... milegi.... barobar saza milegi :dwarf: Viraj :help2: zara jaake dekho to aakhir matter kya hai.... agar lage ki mamla kuch bhi gadbadi ki hai to disuja ke sathi samajh ke ush cup plate dhone wale arjun aur ajeet ko aisi ki taisi kar dena :chop:

4) mujhe ek samajh nahi aa rahi hai.... Ki wafa kyun.... aakhir kyun ghuse chali aa rahi hai viraj ki life mein..... maana ki jaan bachayi hai.... iska ye matlab hargiz nahi hua ki wo uske jindagi pe hak jamane lag jaaye.... Coz meri nazar is kayakalp Kahani mein Viraj ki heroine sirf aur sirf Maya hi banegi..... aur aakhiri baat bhi yahin hai.....Viraj aur Maya ki jodi, rab ne mila di jodi hai....

5) viraj ke atit mein zaroor abhay aur karuna, ush disuja aur uske sathio ke dwaara viraj ke kuch karke marne ke liye chhod diya hoga.... aur jaha tak andaza hai.... Jab viraj haweli chhod ke jaa raha tha uske turant baad hi uspe ye attack kiya gaya tha...phir jakhmi haalat mein wafa ko mili....
Abhay- karuna ....are dhitkaar hai just logis ki jindagi pe... kitna kuch nahi kiya viraj ne.... aur uska ye sila diya usko.....

6 ) sochne wali baat ye hai ki wafa kahe itna kuch kar rahi hai uske liye..... to saare muddo pe gaur kare to yahin natiza nikalta hai ki Wafa akeli ladki hai.... ab handsome viraj ko dekh uska mann dol gaya hoga aur sochi hogi ki isko life partner bana liya to life jinga la la... isiliye ush ke piche padi hai hath dhoke :D....

Aur aakhir mein yahin kahungi ki The great Maya ko jald se jald viraj ki khoj nikal jana chaahiye :girl-run:

Shaandaar kahani, shaandaar lekhni, shaandaar shabdon ka chayan sath dilchasp kirdaaron ki bhumika bhi dekhne ko mili hai...

Let's see what happens next..
Brilliant update with awesome writing skills :clapping: :clapping:
 
Member
1,201
3,267
143
Update - 03
━━━━━━━━━━━━━

Aisi hi baate karte huye dono bahne gungun railway station pahuch gayi. Neelam apni badi bahan se gale lag kar mili uske baad wo ek local train me savaar ho gayi. Kuchh hi der me train station se chal padi. Ritu apni bahan ko akele yu jaata dekh apni aankho ko chhalak padne se rok na saki thi. Jab train uski aankho se kaafi door chali gayi to wo palti aur plateform se baahar aa gayi. Baahar aa kar w apni police car me baithi kuchh der tak khud ke jazbaato ko kaabu karti rahi uske baad usne car ko start kiya aur apni saheli ke ghar ki taraf chal padi.

━━━━✦༺❁༻✦━━━━

Ab Aage_____

"Kaam ho gaya hai boss." Arjun sahay ke mobile se uske kaano me ye waakya goonja____"Jaisa aapne kaha tha hamne theek waisa hi kar diya hai."
"Poori baat bataao." Arjun ke chehre par ekaek hi chamak aa gayi thi____"Is wakt kaha hai wo?"

"Hamare ek aadmi ne phone par bataya tha ki wo apne office se raat saadhe das baje nikli thi." Udhar se arjun sahaay ke kaano me kaha gaya___"Is liye hamne waisa hi kiya hai jaisa aapne plan banaya tha. Yaani office se ghar jaane ke beech me jo sunsaan raasta padta hai ham usi raaste par chhup kar uske aane ka intzaar karne lage the. Jaise hi hame door se uske car ki jalti huyi head light nazar aayi waise hi hamne beech sadak par wo kanteela taar lamba kar bichha diya tha. Kuchh hi der me uski car aayi aur us kanteele taar ke upar se guzar gayi. Jisse taar par maujood lohe ki majboot keelein uski car ke taayaro par dhans gayi aur taayar ek tez aavaaz ke saath hi panchar ho gaye. Uski car kuchh door tak unbalance ho kar lahraayi magar usne samhaal liya aur phir sadak ke kinaare rok diya. Is beech hamne jaldi se us nukeele taar ko sadak se kheench liya tha. Udhar car se utar kar us ladki ne apne mobile ki roshni me car ke pahiyon ko dekha to uski bhrikuti tan gayi. Usne gusse me zor se car ke ek pahiye me laat maari thi."

"Bas bas kitna bolta hai be." Arjun ne beech me hi udhar ki awaaz ko kaatte huye kaha___"Ab ye bata ki is wakt wo kya kar rahi hai?"
"Kuchh der tak to wo car ke baahar hi khadi idhar udhar dekhti rahi thi boss." Udhar se kaha gaya____"Uske baad usne apne mobile se kisi ko phone kiya magar phir gusse se usne mobile phone ko liye car ke andar baith gayi. Is wakt bhi wo car ke andar hi hai."

"Haan shayad usne apne dad ko phone lagaya hoga." Arjun ne sambhaavna byakt ki, bola___"Chal theek hai lakhan. Tum logo ne bahut achhe se apne kaam ko anjaam diya hai. Abhi tum log us par nazar jamaye rakhna. Ham aate hain kuchh der me."

Arjun ne kahne ke saath hi call cut kar ke mobile pocket me daala. Uske hotho par jaandaar muskaan ab bhi kaayam thi jaise usne koi bahut badi jeet haasil kar li ho. Is wakt wo apni car ki driving sheet par baitha tha. Call cut karne ke baad usne pahle kuchh palo tak kuchh socha aur phir car start kar car ko jhatke se aage badha diya. Zahen me tarah tarah ke khayaal bunate huye wo bahut hi kam waqt me us jagah pahuch gaya jis jagah par sadak ke kinaare safed rang ki ek BMW car khadi thi.

Arjun sahaay ne us car se lagbhag pachaas metar ki doori par ja kar apni car ko ronka. Shayad wo ye dikhaana chaahta tha ki uski nazar BMW car par achanak hi padi thi aur usne socha ki shayad yaha par koi kisi museebat me hai. Khair, arjun sahaay apni car ko reverse karte huye waapas us jagah aaya jaha par vo car khadi thi.

Car left side khadi thi is liye uski driving sheet arjun sahaay ki taraf hi thi lekin ek hi disha me hone ki vajah se khud arjun sahaay ki driving sheet bhi daahini taraf thi jisse wo apne left side khadi car me baithi ladki ko dekhne ke liye apni sheet se khisak kar baayi taraf aa gaya tha. Uski nazar driving sheet par bhannaayi huyi baithi ladki par padi. Udhar jaise hi us ladki ne apne paas aayi car me baithe arjun sahaay ko dekha to uske chehre ke bhaav ekdam se badal gaye.

"Are maya tum???" Arjun sahaay ne is tarah acting ki maano use maya ko is wakt yaha is tarah dekh kar badi hairaani huyi ho, bola___"Tum yaha par is wakt kyo car ronke huyi ho? Maine tumhaari car ko anayaas hi pahchaana tha, mujhe laga ki car jaani pahchaani hai is liye khud ko is taraf aane se rok na saka."

"Wo darasal meri car panchar ho gayi hai." Maya ne teekhe bhaav se kaha___"Is kameeni ko bhi abhi hi panchar hona tha. Is wakt bhala main kise bulaati ise theek karaane ke liye? Dad ko call kiya to bole ki unhe aane me do ghante lagenge kyonki wo out of town hain. Halaaki unhone hamaare ek naukar ko bhejne ke liye kaha hai."

"Naukar ko???" Arjun sahaay ne ajeeb bhaav se kaha___"Oh to iska matlab tum naukar ke saath yaha se jaaogi. Ye to had ho gayi maya. Tumhe mujhe phone karna chaahiye tha na. Aakhir tumhaara sabse achha dost hu main. Khair, chalo aao baitho meri car me aur chalo yaha se. Yaha par itne samay tumhaara akele rahna safe nahi hai."

"What do you mean safe nahi hai? Are main kya darti hu kisi se?" Maya ne pahle ki tarah hi teekhe bhaav se kaha____"Marcel art me black belt haasil kiya hai maine. Do chaar ki to main yu hi khel khel me haddiya tod dugi. Yaha se mera roz ka aana jaana hai. Abhi tak to aisa kuchh hua nahi aur agar hua bhi to mujhe khud par yakeen hai ki main apni suraksha kar lugi."

"Mujhe pata hai meri maa." Arjun ne kaha____"Lekin ab jab ki main yaha aa hi gaya hu to chalo mere saath. Main tumhe tumhare ghar chhond duga, uske baad main apne ghar chala jaauga. Tumhaara naukar kya pata kitni der me yaha aata hai? Dusri baat naukar ke saath jaana bhi tumhaari shaan ke khilaaf hi hai."

"Haan ye to tumne sahi kaha arjun." Maya ne kaha___"Aur isi baat par abhi kuchh der pahle main dad se gussa bhi huyi thi. Khair main dad ko phir se call karti hu aur unhe bata deti hu ki wo naukar ko mana kar de yaha aane ke liye. Main unhe bata deti hu ki main tumhaare saath aa rahi hu."

"Haan bilkul mana kar do tum." Arjun ne man hi man khush hote huye kaha____"Lo maine darwaza khol diya hai tum andar aa jao. Hawa tez ho rahi hai aisa lagta hai jaise baarish hogi. Aise me yaha rukna bhi theek nahi hai."

Arjun sahaay ki baat sun kar maya fauran hi driving door khol kar car se neeche utri aur phir uska gate band karke arjun ki car ke khule huye darwaze se andar aa kar arjun ke bagal se baith gayi. Arjun dekh chuka tha ki maya ne is wakt safed shirt aur neeche ek black colour ka chust sa top pahan rakha tha. Car ke andar light jal rahi thi is liye ghutno ke halka upar aur fir neeche poori taange beparda nazar aa rahi thi. Doodh jaisi gori aur chikni sapaat taango par nazar padte hi arjun ne andar hi andar ek aah si bhari. Ghutno se upar uthte huye uski nazar maya ke seene ke ubhaaro par thahar gayi. Safed shirt ke do button khule huye the is wakt jisme se uske dudhiya jism aur dono ubhaaro ke beech ki halki si daraar dikh rahi thi. Uske upar uski surahidaar gardan thi. Gulaab ki taaza khili huyi pankhudiyo jaise honth aur sheep si gahri neel si jheeli aankhe. Maya ki khubsurti ka arjun shuru se hi diwana tha.

Arjun sahaay ek behad hi ayyaas aur ladkibaaz naujawaan tha. Usne kuchh hi palo me maya ko dekh kar apni nazro ko halka sa tript kar liya tha. Uske baad usne car ko aage badha diya tha. Idhar maya apne mobile par apne dad se baat kar rahi thi.

"Ho gayi baat??" Maya ko apne kaan se mobile hataate huye dekh arjun sahaay ne ek nazar uski taraf daalne ke baad puchha tha.
"Haan maine unhe bata diya hai." Maya ne kaha____"Kah rahe the ki theek hai agar arjun saath hai to."

Uski baat sun kar arjun sahaay man hi man muskura utha tha. Arjun sahaay ka baap ajeet sahaay ne usse kaha tha ki wo maya ke ird gird hi rahe aur uska har tarah se khayaal rakhe. Chhoti chhoti baato ka khayaal rakhte huye wo uski har baat maane taaki uski nazro me uski achchhi chhavi ban jaye. Ye kaam wo abhi kuchh saalo se hi kar raha tha. Iske pahle wo paanch saal ke liye desh se baahar chala gaya tha. Darasal arjun sahaay par ek ladki ke rape ka case ban gaya tha, jiske chalte uske baap ajeet ne tikdam kar ke kisi tarah maamle ko coart tak nahi pahuchne diya tha magar isse uska nuksaan ye ho sakta tha ki uske bete ki image jagmohan singhaniya ki nazro me kharaab ho jaati. Us case ki jaankaari jagmohan ko nahi huyi thi kyonki wo us samay yaha tha hi nahi. Ajeet sahaay ne socha tha ki arjun apni javaani ke nashe me kahi aur bhi kuchh ulta seedha na kar baithe jisse uske sapne nestanaaboot ho jaaye is liye usne apne bete arjun ko kuchh saalo ke liye videsh bhej diya tha. Idhar pichhle do saal pahle hi arjun sahaay vaapas yaha aaya tha aur tab se wo apne baap ke nirdesh par maya ko apne pyaar ke jaal me fansaane ki jugat laga raha tha magar ab tak kaamyaab nahi hua tha. Halaaki maaya se uski dosti ho gayi thi lekin ye sirf dosti hi thi. Isse aage badhne ki himmat arjun sahaay kar hi nahi pa raha tha. Iski wajah ye thi ki maya bahut hi garam mizaaj ladki thi. Use pyaar vyaar jaisi baate bakvaas lagti thi. Uska poora focus apne dad ke business par tha. Doosri baat apni khubsurati ka aur paiso ka ghamand bhi tha use jiske chalte wo arjun sahaay jaise third class waale ladke par waisi nazar hi nahi daalna pasand karti thi. Uski ek hi soch thi ki duniya ki har cheez uske qadmo me ho. Dimaag kaafi tez tha uska. Jab se usne apne dad ke business me apna haath rakha tha tab se business me kaafi jyaada tarakki huyi thi. Dheere dheere aisa hota gaya ki company ke har kaam me uska hi faisla hone laga. Agar uske faisle par koyi savaal khada karta to phir use uske khatarnaak gusse ka bhi saamna karna padta tha. Suna to ye bhi gaya tha ki usne company ke kayi aise employees ko jhannatedaar thappad jad kar company se out kar diya tha. Isse company ka to koyi nuksaan nahi hua lekin uske kayi dushman zaroor ban gaye the. Jagmohan singhaniya ko apni beti ki kaabiliyat par andhadhundh naaz tha. Wo khud bhi kabhi apni beti ke faislo par koi aapatti nahi jataata tha. Use pata tha ki uski beti ka har faisla aur har plan hamesha sateek aur perfect saabit hota tha.

Maya ek aisi ladki thi jiske kirdaar ko itna jaldi koi samajh bhi nahi paata tha. Iska kaaran ye tha ki use kisi ki baat kab aur kaise buri lag jaye aur use kab gussa aa jaye kisi ko koi andaaza nahi hota tha. Doosri important baat ye thi ki uski soorat aisi thi ki pahli nazar me koi ye yakeen hi nahi kar sakta tha ki ye itni gusse waali ya khatarnaak ladki ho sakti hai. Uske chehre ki masoomiyat in cheezon ka mahaj apvaad thi.

Kuchh hi der me arjun sahaay ki car ruki. Car ke rukte hi maya darwaza khol kar car se neeche utar gayi. Uske baad usne arjun ki taraf dekh kar haath hilaaya aur phir bina kuchh kahe apne shaandaar bangle ke andar ki taraf badhti chali gayi. Uske yu chale jaane par arjun ko gussa to bahut aaya lekin phir usne use jazb kiya aur car ko aage badha kar waapas main sadak ki taraf badha diya.

Arjun sahaay jab apne ghar pahucha aur dring room me daakhil hua to uski nazar sofe par baithe apne baap ajeet sahaay par padi. Wo use dekh kar bola to kuchh nahi bas ja kar khud bhi ek sofe par baith gaya. Ajeet sahaay ne sir ghuma kar apne bete ki taraf dekha. Anubhavi ajeet sahaay turant taad gaya ki uska beta is wakt gusse me hai.

"Kya baat hai barkhurdaar?" Ajeet sahaay ne muskuraate huye pucha____"Chehare par itna gussa kis baat par kaayam kiye ho? Kisi se koi baatcheet ho gayi hai kya? Agar aisa hai to yakeenan ye achha nahi hai. Tumhaari image kharaab hone ka matlab hai ki sab kuchh bigad jaana."

"Aisi koi baat nahi hai dad." Arjun ne kheejhate huye kaha___"Wo saali do take ki ladki samajhti kya hai apne aapko?"
"Are! kya hua beta?" Aeet sahaay ekdam se uski taraf ghoom kar baith gaya, phir chintit bhaav se bola___"Kis ladki ki baat kar rahe ho tum? Kahi tum maya ki baat to nahi kar rahe?"

"Haan dad." Arjun ne apne baap ki taraf dekha___"Main usi magroor ladki ki baat kar raha hu."
"Are par aisa kya ho gaya hai?" Ajeet sahaay ki dhadkane tez ho gayi thi___"Jisse tum aisa kah rahe ho?"

Arjun ne apne baap ko saara kissa suna diya. Usne bataaya ki kaise usne maya ko andhere sunsaan raaste se uski car ke panchar ho jaane par lift di aur phir use uske ghar chhod kar abhi yaha aaya hai. Usne ye baat poori tarah se chhupa li ki uski hi kartoot se maya ki car panchar ki gayi thi.

"Itni help karne ke baad bhi dekhiye dad." Saari baate bataane ke baad arjun ne kaha___"Us magroor ladki ne mujhe thanks tak nahi kaha. Yaani ki use lagta hi nahi hai ki maine use surakshit ghar pahucha kar uski kitni badi help ki hai."

"Wo aisi hi hai beta." Ajeet sahaay bete ke gusse ki vajah ko samajhte huye bola____"Uski is baat par itna gussa karna achhi baat nahi hai. Tumhe ye samajhna chaahiye ki dudhaaru gaay ki laat maar sab sahni padti hai tabhi hame rasdaar doodh milta hai. Khair, tum chinta mat karo. Maya ne tumhaara dhanyavaad nahi kiya to kya hua main tumhaari ye baat badha chadha kar singhaniya ko zaroor bataauga aur aise andaaz me bataauga ki uski nazar me tumhaari image zero se hero waali ban jaye. Waise bhi tumhe kuchh aisa karte rahna hai jisse singhaniya ko lagne lage ki maya ke liye tumse achha ladka doosra koi ho hi nahi sakta. Ek baar, bas ek baar aisa ho jaye phir dekhna aage ka program settle karne me zyada waqt nahi lagega."

"Ye tedhi medhi baate meri samajh me nahi aati dad." Arjun ne kaha___"Maine to bas aapki vajah se khud ko roka hua hai warna mera to ek hi rule hai ki jo cheez pasand aa jaye use kuchh bhi kar ke haasil kar lo aur phir uska ras nichod kar use kachre ki tarah fenk do."

"Tumhaara ye rule nihaayat hi ghatiya kism ka hai mere bete." Ajeet sahaay andar hi andar tilmila gaya tha, bola___"Apne isi rule ki wajah se tum musibato me fanste ho aur phir tumhe un musibato se nikaalne ke liye mujhe jaane kitne paapad belne padte hain. Main ye nahi kahta ki tum apni khwaahisho ko maar do balki main sirf ye kahna chaahta hu ki tum apna tareeka badlo aur thoda dimaag se bhi kaam lo. Ek baat hamesha yaad rakho ki bure insaan ko koi bhi shareef aadmi ehmiyat nahi deta balki wo us bure insaan se saari umar door hi rahne ki koshish karta hai. Aise byakti se koi apni ladki ki shaadi karne ke baare me khwaab me bhi nahi soch sakta. Is liye beta, sab kuchh karo magar is prakaar se ki wo kisi ki bhi nazar me ya jaankaari me na aa sake."

Ajeet sahaay ki in baato ka arjun ne koi javaab nahi diya balki sir neecha kiye shoonya me ghoorta raha jabki apne bete ki is chuppi aur avastha ko dekhte huye ajeet sahaay pahle to kuchh pal chup raha phir usne ek gahri saans li.

"Meri baato ka bura mat maanna beta." Ajeet sahaay ne santulit lahje se kaha___"Main ye jo kuchh bhi kah raha hu yakeen maano isi me mera aur tumhaara bhavishya ek ujjval bhavishya banega. Hame apna har kaam bade dhairya se aur badi hoshiyaari se karna hai. Chhoti chhoti baato par yu gussa karne se bani banaayi baat bigad jaayegi. Hame tab tak unke saamne jhuke rahna hai ya unse dabe rahna hai jab tak ki wakt aur halaat hamaare haq me nahi aa jaate. Tum samajh rahe ho na meri baat??"

"Ya..yes dad." Arjun ne dheeme swar me kaha___"Main poori koshish karuga ki meri vajah se maamla bigadne na paye."
"Very good." Ajeet sahaay khush hote huye bola___"Ek baat aur, pyaar mohabbat me badi taaqat hoti hai aur uska asar bhi bahut hota hai. Apne character ko thoda saaf banaao aur maya ke aage peechhe rahte huye uske liye aise aise kaam karo ki use tumhaare har kaam par kuchh khaas nazar aaye aur phir use ehsaas hone lage ki tum uske liye kitne important ho? Har ladki ki yahi tamanna hoti hai beta ki use jeevan me ek aisa saathi mile jo use bahut pyaar kare. Uski har khwaahish ko pal me poori kar de aur uska har tarah se khayaal kare. Jab tum is tarah ki cheeze uske liye karte huye use dikhaaoge to use ek na ek din zaroor ehsaas hoga ki tum hi wo saathi ho jo har ladki ki tamannaao me shumaar hota hai. Main maanta hu wo ladki bahut hi zyaada magroor aur ziddi hai aur vo apne standard ke neeche waalon ki taraf dekhna bhi pasand nahi karti hai lekin ye bhi to socho ki pahle me aur ab me kitna fark hua hai. Pahle wo tumhaari taraf dekhti tak nahi thi, jabki aaj usse tumhaari dosti ho chuki hai. Mujhe poora yakeen hai bete ki der se hi sahi magar wo din bhi zaroor aayega jab ye dosti pyaar me badal jayegi. Uske baad to maya khud hi apne baap se kahegi ki wo tumse shaadi karna chaahti hai. Uska baap uske faisle ko kabhi aswikaar nahi kar paayega kyonki use apni beti ke character ka bakhubi pata hai."

Arjun sahaay apne baap ki in saari baato ko bade gaur se sun raha tha. Ye baat to wo khud bhi maanta tha ki pahle me aur ab me bahut fark aa gaya tha. Is liye use apne baap ki baanki baato par bhi yakeen tha. Usne man hi man soch liya ki ab wo waisa hi karega jaisa uske baap ne kaha hai. Jaane kya soch kar ekaek hi uske hotho par badi jaandaar muskaan ubhar aayi. Ajeet sahaay uske hotho par ubhri us muskaan ko dekh kar samajh gaya ki uska beta ab waisa hi karne ki poori koshish karega jaisa usne use samjhaaya hai.

□□□□□

Samandar ke kinaare chattaan par baithe shakhs ki jab sharaab ki bottle poori khaali ho gayi to use khayaal aaya ab use yaha se jaana chaahiye. Halaaki is ekaant se uska jaane ka zara bhi man nahi kar raha tha lekin phir bhi jaane kya soch kar wo utha aur apne haath me li huyi khaali bottle ko samudar ki lahro ki taraf uchhaal diya. Uske baad wo palta aur waapas apni car ki taraf chal diya. Hairat ki baat thi ki uski chaal me ab bhi koi ladkhadaahat nahi thi.

Car ki driving sheet par baith kar usne apne paint ki pocket se mobile nikaala aur usme ek button daba kar screen on ki to pata chala ki wafa naam se bayalees miss call pade the aur chaar messages bhi the. Aisa pahli baar hua tha ki uske mobile par wafa ne message bheja tha. Ye dekh kar shakhs ne mobile ko saamne dash board ki taraf rakhne ke liye haath badhaaya lekin phir jaane kya soch kar waapas kheench liya. Usne fir se screen ko on kiya aur aaye huye messages par click kiya to message box open ho gaya. Un chaaro hi messages me alag alag waakya likhe huye the.

Un chaaro waakyo ko usne padha aur phir mobile ko dash board me rakh diya. Kuchh der jaane kya sochta raha, uske baad usne car start ki aur jhatke se car ko yu turn dete huye aage dauda diya. Kuchh hi samay me wo usi ghar me pahuch gaya jaha se iske pahle wo nikal kar chala gaya tha. Mukhya darwaze ko itni raat me khula paaya to wo halke se chaunka.

Darwaze ko khol kar wo fauran hi andar daakhil hua aur darwaze ko andar se band kar ke tezi se andar ki taraf badha. Is beech usne mobile ki torch ko on kar liya tha taaki andhere me aage badhne par use koi pareshaani na ho. Tezi se chalte huye wo apne kamre ke darwaze ke paas pahucha. Abhi wo darwaze ke andar jaane ke liye apna daahina qadam badhana hi chaaha tha ki sahsa ruk gaya. Mobile torch ki roshni farsh par padi huyi thi jisme wo ladki darwaze ke bagal waali diwaar ke sahaare hi baithi nazar aa rahi thi. Uski dono taange seedhi thi jabki dono haath agal bagal farsh par jame huye the.

Shakhs ne torch ka focus ladki ke chehre ki taraf kiya to use ek taraf sir kiye soya paaya. Daahine haath ki hantheli me ek chhota sa mobile thama hua nazar aaya. Ye sab dekh kar us shakhs ke chehre par kuchh pal ke liye peeda ke bhaav numaaya huye phir jaise usne khud ko samhaal liya. Kuchh der tak wo apni jagah par khada use dekhta raha phir wo palat kar doosri taraf chal diya. Kuchh hi palo me wo ek doosre kamre me tha.

Doosre kamre ki light jala kar wo vaapas apne kamre me aaya aur phir jhuk kar usne apne ek haath ko neeche se ladki ke ghutno ke thoda upar aur doosre haath se ladki ko uski peeth se samhaalte huye utha liya. Apni baaho me us ladki ko liye wo doosre kamre me aaya aur aahista se ladki ko uske bed par lita diya. Is beech ladki ke hotho se ek hi waakya nikal raha tha___"Khuda ke liye mujhe chhond kar mat jaao."

Bed par litane ke baad shakhs seedha hua hi tha ki usne dekha ki bed par padi wo ladki kunmunaayi aur phir shaant ho gayi. Shayad gahri neend me thee wo. Shakhs ne uske pairo ke paas padi chaadar ko us par uske seene tak kheench kar dhank diya. Iske baad wo palta aur kamre ki light band karne ke baad kamre se baahar aakar usne darwaza dhulka diya aur phir apne kamre ki taraf badh gaya.

Apne kamre ki light jala kar usne darwaza band kiya aur bed par aakar dhamm se let gaya. Itni raat ho jaane ke baad bhi uski aankho me neend ka koi naamo nishaan nahi tha. Hairaani ki baat ye bhi thi ki us par sharaab ka nasha zara bhi samajh me nahi aa raha tha jabki usne do do bottle sharaab paani ki tarah pi gaya tha. Iske pahle bhi usne piya raha hoga to wo alag baat thi.

Night bulb ki roshni me wo chhat par ghoom rahe pankhe ko ghoore ja raha tha jaise waheen par kahi use apne ateet ka koi hissa kisi film ki tarah dikh raha tha.

Flashback______

Use aisa lag raha tha jaise koi zor zor se chilla raha tha aur saath hi use pakad kar hila bhi raha tha lekin kisi ke chillaane ki awaaz use bahut door se sunaayi deti prateet ho rahi thi. Chetna jaagrit to ho gayi thi lekin poori tarah nahi. Sochne samajhne ki shakti ne abhi poori tarah kaam karna shuru nahi kiya tha. Kaafi der tak jab uske kaano me kisi ke chillaane ki awaaz aati rahi aur use kisi ke dwaara buri tarah hilaaya dulaaya jaata raha to jaise usme kahi se praano ka sanchaar hua tha.

Zahen ne thoda sa kaam kiya jiske parinaam swaroop usne badi mushkil se apni aankho ko kholne ki koshish ki thi. Halki khuli aankho se use kuchh nazar na aaya tha lekin is beech jism me tez peeda ka ehsaas zaroor hua. Uske mukh se dard bhari karaah nikli aur phir jaise punah uski chetna lupt hoti chali gayi thi. Uske baad kya hua use kuchh bhi pata na chal saka tha.

Dubaara jab uski chetna jaagrit huyi to is baar aalam pahle jaisa nahi tha, balki is baar use pahle se kaafi zyaada araam aur sukoon sa mahsoos ho raha tha. Mastishk jaagrit hua to uske man me ekaek hi kayi saari baate aur ghatnaaye bijli ki speed se daudne lagi. Jiska nateeja ye hua ki ekaek hi uske chehre par gahri peeda ke bhaav ubhar aaye. Usne patt se apni dono aankhe khol li.

Aankhe khulte hi pahle to use kuchh samajh na aaya, phir usne idhar udhar nazar ghuma kar dekha to chaunk gaya tha. Use yaad aaya ki jab aakhiri baar wo behosh hua tha tab wo kisi car me tha aur kuchh log use majbooti se pakad rakhe the. Us wakt uske andar bhayankar gussa aakrosh aur jism me maujood naso me daudta lahu kisi khaulte huye paani ki tarah ubaal maar raha tha. Wo buri tarah cheekh raha tha aur khud ko unse chhudaane ki ji tod koshish kar raha tha. Use kuchh bhi pata nahi tha ki car me maujood log jo use majbooti se pakde huye the wo use kaha le ja rahe the? Ekaek hi use apni ek baanh me koi nukeeli cheez chubhti mahsoos huyi aur phir uska poora jism sunn sa padta chala gaya tha. Kuchh der baad use aisa mahsoos hua jaise wo kisi thos cheez se takraaya ho aur phir use kuchh bhi yaad nahi rah gaya tha. Uske baad fir ab use hosh aaya tha aur pata chala ki wo kisi pakke makaan ke ek aise kamre me leta hua hai jaha par safed roshni ka tez prakaash hai. Aas paas deevaar me kuchh tasveere lagi thi. Ek taraf ek aalmaari rakhi thi aur doosri taraf ek do plastik ki kursiya rakhi thi.

Kuchh der tak wo lete lete hi ye sab dekhta raha uske baad wo araam se uth kar baith gaya. Use samajh nahi aa raha tha ki ye kaun si jagah hai aur yaha par wo kaise aa gaya hai? Kamre me uske alaava doosra koi nahi tha. Ek madhyam size ke bed par wo uth kar baith gaya tha aur chaaro taraf nazre ghuma raha tha.

Kamre me ek darwaza tha jo band tha. Har taraf ka muaayna karne ke baad sahsa wo khud ki taraf dekhne laga. Is wakt uske jism par koi kapda nahi tha, yaani ki upar se wo nanga hi tha. Ye dekh kar uske chehre par pahle to buri tarah chaunkne ke bhaav ubhre phir sahsa aise bhaav ubhar aaye jaise samajhne ki koshish kar raha ho ki aisa kaise ho sakta hai? Ekaek hi usne apne pet se neeche ki taraf dhanke ek chaddar ko dono haatho se pakda aur phir use apne se aage ki taraf halke se kheencha. Wo dekhna chaahta tha ki jis tarah wo kamar se upar nanga hai to kya usi tarah kamar ke nichle bhaag se bhi nanga hai?

Apni ajeeb haalat par uljhe huye jab uski nazar apne kachhe par padi to uske chehre par raahat ke bhaav ubhar aaye. Ab uske saamne sabse bada sawaal ye khada ho gaya tha ki wo yaha kaise tha aur uske kapde kisne uske badan se alag kiye hain? Abhi wo in sab sawaalo me hi uljha tha ki tabhi kamre ke baahar se do insaano ki awaaz sunaayi di use. Wo ye awaaz sun kar pahle to chaunka phir jaane kya soch kar wo bed par let gaya aur apni aankhe band kar li.

Kuch hi palo me kamre ka darwaza khula aur do byakti kamre ke andar daakhil huye. Un do byaktiyo me ek mard tha jo ki safed coat pahne huye tha. Yakeenan wo byakti doctor tha, jabki doosri ek ladki thi. Ladki samaanya kad kaathi ki hi thi lekin behad sundar nazar aa raha thi. Uske khoobsoorat se badan par salawaar shoot tha aur gale me lipta hua dupatta. Sir ke lambe baalo ki ek lambi si chonti thi jo ki uske hips ke neeche tak jhool rahi thi.

Kamre me aate hi un dono ki nazar bed par pade us byakti par padi thi. Un dono ne pahle uski taraf gaur se dekha phir ek doosre ki taraf dekhne lage.

"Ab tak to is shakhs ko hosh aa jaana chaahiye tha miss wafa." Doctor ne bed par lete shakhs ko dekhne ke baad wafa naam ki us khubsurat ladki se mukhaatib ho kar kaha tha____"Jaisa ki aapne bataaya tha ki aapko ye parson raat ko sadak ke kinaare gambheer haalat me mila tha. Main abhi bhi hairaan hu ki aapne ek ajnabi ke liye itna bada kaam kiya. Kahne ka matlab ye ki raat ke lagbhag gyaarah baje sunsaan jagah par aapne apni car ronki aur phir is shakhs ki haalat ko dekh kar ise apne ghar le aayi. Halaaki aap ise hospital bhi le ja sakti thi magar aapne aisa nahi kiya."

"Karne ko to aur bhi ek cheez thi doctor sahab." Wafa ne kaha___"Jo ki maine nahi kiya tha. Darasal maine jab inhe us haalat me dekha tha to mujhe laga ki zaroor inke kisi dushman ne inki wo haalat ki thi. Pahle to maine inhe hosh me laane ki khud badi koshish ki thi magar jab ye hosh me nahi aaye to maine inhe badi mushkil se apni car me pichhli sheet par litaaya tha aur phir yaha apne ghar le aayi thi. Uske baad maine aapko phone kiya aur aapse guzaarish ki ke aap us wakt jald se jald aa jaaye. Inhe hospital na le jaane ki ek thos wajah ye bhi thi ki maine aksar filmo me dekha hai ki dushman ko jab pata chal jaata hai ki unhone jisko jaan se maar diya tha wo abhi zida hai aur kisi hospital me uska ilaaz chal raha hai to wo log fauran us hospital me pahuch kar uski phir se jaan lene ki koshish karte hain. Yahi wajah is baat par bhi thi ki maine police ko phone karke inke baare me ittala nahi di thi. Mujhe laga kahi filmo ki tarah police bhi inke un dushmano se na mili huyi ho."

"Main bakhubi samajhta hu miss wafa." Doctor ke hotho par halki si muskaan ubhar aayi___"Ki aapne jo kuchh bhi kiya is shakhs ki suraksha ki drishti se kiya hai. Main ye bhi samajh sakta hu ki is sabke peechhe aapki neeyat me koi khot nahi tha lekin haan samaanya byakti ke liye ye ek bada hi vichitra kaam ho jaata hai. Samaanya aadmi is baat ko asaani se hajam nahi kar paata ki ek ladki ne kisi ajnabi ki is tareeke se jaan bachaayi."

"Mujhe kisi ki parvaah nahi hai doctor sahab." Wafa ne kaha____"Bas main kisi bhi byakti ko taqleef me nahi dekh sakti. Mere dwaara agar kisi ka bhala hota hai to main uska bhala karne ki poori koshish karti hu."

"Kamaal ki soch hai aapki." Doctor ne kaha aur phir muskuraate huye bed ki taraf badha. Kuchh der tak shakhs ke chehre ko gaur se dekhta raha uske baad wo punah muskuraaya aur phir palat kar wafa se kaha____"Inhe hosh aa chuka hai miss wafa."

"Ka..kya sach mein????" Wafa naam ki us ladki ke chehre par khushi ki chamak fail gayi, fauran hi qareeb aa kar usne apni aankho se bed par pade shakhs ki taraf dekha usne lekin shakhs ki aankhe band dekh usne sawaaliya nazro se doctor ki taraf dekha.

"Hello young man." Doctor ne wafa ki sawaaliya nazro ko dekhne ke baad seedha bed par pade shakhs ki taraf jhukte huye kaha tha___"Mujhe pata hai ki tum hosh me aa chuke ho aur ye achhi baat bhi hai lekin......"

Doctor lekin bolne ke baad ruk gaya tha kyonki tabhi bed par pade shakhs ne apni aankhe khol di thi, saath hi doctor ki taraf ajeeb bhaav se dekhne laga tha. Doctor uski taraf kuchh der tak dekhta raha.

"Okay, are you feeling better??" Fir doctor ne usi position me us shakhs se puchha lekin uske puchhne par shakhs ne koi response na diya tha. Kahne ka matlab ye ki doctor to doctor khud wafa ne bhi us shakhs se kayi baar puchha aur kayi sawaal kiye magar us shakhs ne un dono se kuchh bhi nahi kaha, balki wo ek tak shoonya me ghoorta raha tha.

Thak haar kar dono hi kamre se baahar aa gaye aur phir doctor ne ek kaagaz par kuchh likha aur use wafa ke haath me pakda diya. Kuchh aur zaroori baate bata kar doctor chala gaya. Dopahar ke wakt chaar byakti aaye the jo ki hospital ke karmchaari hi lagte the. Unhone us shakhs ko badi safaayi se ek injection lagaaya tha jiska asar hote hi wo shakhs behosh ho gaya tha. Uske baad use yaad nahi ki uske saath kya kya hua.

Hospital me raat ke wakt us shakhs ne tahalka sa macha diya tha. Paaglo ki tarah harkate kar raha tha. Uska poora jism laal surkh pad gaya tha. Aadhi raat ke wakt poore hospital me cheekho pukaar ka aalam ho gaya tha. Badi mushkil se doctor ne us shakhs ko ek injection laga kar behosh kiya tha. Puchhne par pata chala tha ki jis din us shakhs ko hospital laaya gaya tha usi raat lagbhag ek baje ek nurse nireekshan ke liye uske ward me gayi thi. Nurse ne dekha ki shakhs ka chehra paseene paseene ho rakha tha aur uske mukh se ajeeb si awaaze nikal rahi thi. Nurse ye sab dekh kar pahle to chaunki thi phir usne apne ek haath se shakhs ke maathe par ye dekhne ke liye haath rakha tha ki kahi use bukhaar to nahi aa gaya hai? Abhi uske maathe par haath rakhe paanch second hi huye the ki shakhs ne patt se aankhe khol di thi. Uske baad usne nurse ki tara dekha aur phir ekaek hi wo nurse par jhapat pada tha. Us par ekdam se wahshiyat taari ho gayi thi.

Apne upar ekdam se aa gayi is bhayankar museebat ko dekh kar wo nurse buri tarah cheekhne chillaane lagi thi. Dekhte hi dekhte nurse ki wo chillaane ki awaaze dard bhari cheekho me badal gayi thi. Us shakhs ne nurse ke kapdo ko nonchna faadna shuri kar diya tha aur use apne bed par patak kar uske upar chadha baitha tha. Hospital me mache is shor gul ka nateeja ye hua ki kuchh hi der me hospital ke kuchh karmachaari aur doctor bhaagte huye is taraf aa gaye the. Uske baad badi mushkil se us shakhs par kaabu paaya gaya tha. Doctor ne shakhs ko behoshi ka ek injection laga diya tha.

Us haadse ke ek maheene baad doctor ne wafa se kaha tha ki wo shakhs unke kisi bhi sawaal ka jawaab nahi de raha hai. Wo ekdam se goonga sa ho gaya hai, ya phir aisa ho sakta hai ki wo sach me goonga hi ho. Uski medical report ke baare me jab doctor ne wafa ko bataaya to report sun kar wafa ke pairo ke neeche se zameen khisak gayi thi. Uske samuche jism me ek ajeeb si jhurjhuri huyi thi.

Doctor ne wafa se kaha tha ki use us shakhs ke baare me police ko bata dena chaahiye taaki police apne tareeke se uske baare me chhaanbeen kare lekin jaane kyo wafa ne doctor se uske liye mana kar diya tha aur khud usse haath jod kar guzaarish bhi ki thi ki wo us shakhs ke baare me kisi se kuchh na bataaye. Doctor wafa ki is baat par behad hairaan hua tha. Use lagne laga tha ki shaayad wafa ko us shakhs ke baare me kuchh to pata zaroor hai lekin usne puchhna zaroori nahi samjha tha.

Us shakhs ki haalat pahle se behtar thi. Yaani ab vo kisi par jhapatta nahi tha. Aisa is liye tha kyonki uske paagalpan ko rokne ke liye use chaubees ghante me ek injection lagaaya jaana anivaary tha. kaafi mashakkat ke baad aakhir hua ye ki wafa naam ki ladki us shakhs ko apne saath apne ghar le aayi. Doctor ne iske liye shakhti se mana bhi kiya tha lekin wafa ne kaha tha ki wo khud ek doctor hai is liye itna to ab wo uska aur usse khud ka khayaal rakh hi sakti hai. Wafa ki baat sun kar doctor hairaan pareshaan sa dekhta rah gaya tha use.

Wafa us shakhs ko lekar jab apne ghar aayi to wo us wakt chaunk padi thi jab usne achaanak hi us shakhs ki awaaz suni thi. Ye pahli baar tha jab us shakhs ne apne mukh se kuchh kaha tha.

"Tum mujhe yaha le to aayi ho." Us shakhs ne ajeeb si kathorta se kaha tha___"Lekin ek baat meri bhi sun lo aur wo ye ki main is ghar me tabhi rahuga jab tum mujhe ye vachan do ki tum mujhe jis kamre me rakhogi us kamre me nahi aaogi aur na hi zyaada der tak mere saamne rahogi."

"Tumhaare liye mujhe sab kuchh manjoor hai." Wafa ki aavaaz sahsa bhaari ho gayi thi, aankho me paani jhalakne laga tha, boli____"Baad muddat ke mile bhi to aise aur aise karaar ke saath? Khair koi baat nahi, tum jaisa kahoge waisa hi hoga. Mere liye yahi bahut badi baat hai ki tum mere....nahi nahi hamaare is ghar me rahoge. Lekin ek baat main bhi kahna chaahugi tumse aur wo ye ki jis tarah ki tumhaari haalat ho gayi hai aur jis tarah ki tumhe bimaari ho gayi hai usse agar thodi si bhi nijaat paane ka tumhaara dil kare to mujhe yaad kar lena. Tumhaare liye kuchh bhi kar jaaugi main."

Wafa ki baat sun kar shakhs ne koyi jawaab nahi diya balki chehre par ubhar aaye apne gusse ko jazb karte huye wo ek jhatke se ek kamre ki taraf badh gaya tha. Uske baad aise hi din raat guzarte rahe the. Wafa hamesha usse puchhti ki uski zindagi me aakhir aisa kya hua tha jiski vajah se aaj uski ye haalat ho gayi hai magar usne kuchh na bataaya tha. In sawaalo par wo shakhti se apne honth sil leta tha aur ghar se baahar chala jaata tha. Is beech kayi baar wo doctor bhi aaya tha. Usne us shakhs ko samaanya bhaav se bolte dekha to use hairaani ke saath achha bhi laga tha. Usne bhi us shakhs se kuchh baate bataayi thi aur ye hidaayat bhi di thi ki wo apne samay par us injection ko apne jism par zaroor lagaye. Uske marz ka ilaaz to mumkin tha kintu wo shakhs khud nahi chaahta tha ki use us azaab se mukti mile.

Din ko to wafa ek private hospital me rahti thi lekin raat me aa jaati thi. Usne bahut koshish ki thi ki wo us shakhs se uski niji zindagi ke baare me kuchh jaan sake magar wo kabhi kaamyaab na ho saki thi. Saara din wo shakhs pata nahi kaha gaayab rahta tha aur phir raat ko gyaarah ya fir baarah baje ke aas paas hi lautta tha. Ghar ki ek chaabhi wafa ne khud hi use de diya tha. Wafa jab bhi uske qareeb aane ki koshish karti to wo use badi kathorta se daant deta aur yaad dilaata ki un dono ke beech kya karaar hua tha?

Uski kathorta aur uske is rookhe byohaar se wafa ka dil chhalni ho jaata tha aur phir wo apne kamre me bed par lete lete khoob roti thi magar phir ye tasalli karti ki jise usne toot toot kar chaaha tha aur jiske haasil hone ki koi ummeed hi nahi thi wo aaj uske ghar me uske itne qareeb to hai.

Present_____

Apne ateet ke ek maamuli hisse me khoye huye us shakhs ko jaane kab neend aa gayi iska use pata hi na chala. Ek do ghante baad subah hone waali thi. Aane wali subah aur aane wala waqt jane kaun si saugaat liye khada tha?

━━━━✦༺❁༻✦━━━━
Mast update tha. par mere waha na hone se wafa par dukho ka paahad tut para hai. Maya par bhi musibate aan pari hai. :shy: wafa aur us bande ka mamla kuch samajh nahi aya. us sakht launde se itna pyar kyo karti hai? kya uska chehra wafa ke mare huye ashiq se milta jhulta hai.
arjun bada daringbaj nikla saap ke bil me hath dal raha hai. ye jante hue bhi ke maya dash bhi sakti hai. ajit bhi use uksa raha hai aisa karne ke liye.
 
R

Riya

Insaani pavitriya, ya insaan ke dimag ke upaj hote hai kuch chije. jaiise lalach . insaan kuch aise kaam kar jate hai jise anya logo ke liye asambhav se lage. paise-jaydad ke lalach ki waja se ajeet aur arjun bhi wohi asambhav kaam sambhav karne ki kosis kar rahe hai. parantu maya aur singhania ke ankho me dhool jhokna itna asan kaam nahi. baap beti ke samne jhuth ko sach banake dikhana lohe ke chane chabane ke barabar hai.
wafa yadi na hoti , yadi bachake ilaj nahi karti toh us lakde ka kya hota . usko samajhna chahiye ki wafa ne use nayi jindagi di hai. itna bura vartap na kare. darasal uske man me wafa ke lie koi nafrat nahi hai. wo sirf akele rehna chahta hai. ekant chahta hai apne purane yaado ke jine ke liye.
Kahani me bahut sari kadiya ane wali hei.
 
I

Ishani

Introduction
━━━━✦༺❁༻✦━━━━

Dosto, Aap sab jaante hain ki ye kahaani ♡ एक नया संसार ♡ ka doosra bhaag hai. Aap sab kahaani ke mukhya paatron se bhali bhaanti parichit hain. Fir bhi aap sabki aur apne naye paathako ki jaankaari aur suvidha ke liye main is kahaani ke mukhya paatro ka parichay diye deta hu. Naye paathak is kahaani ko behtar tareeke se samajhne ke liye is kahaani ke pahle bhaag yaani___♡ एक नया संसार ♡ ko zaroor padhe. :declare:

☆ Gajendra Singh Baghel, ( dada Ji/Dead )
☆ Indrani Singh Baghel, ( Dadi Ji/Dead )
Gajendra Singh aur indrani ki paanch santaane hain jo is tarah hain_____

[1] Ajay Singh Baghel ( Dead )
¤ Pratima Singh Baghel ( Ajay Singh ki biwi/Widhva/Wakaalat ki digree )
•Ajay singh aur pratima ke teen bachche hain_____
(1) Ritu Singh Baghel ( Current age 31/Police me SP/Unmarried )
(2) Neelam Singh Baghel ( Current age 27/Unmarried )
(3) Shiva Singh Baghel ( Current age 23/Unmarried/Kaanunan umarkaid ki saza praapt )

[2] Vijay Singh Baghel ( Dead )
¤ Gauri Singh Baghel ( Vijay Singh ki Biwi/Widhva )
•Vijay Singh aur Gauri ke do bachche hain____
(1) Viraj aka Raj Singh Baghel ( Current age 27/ Unmarried )
(2) Nidhi Singh Baghel/ Gudiya ( Current age 23/Unmarried )

[3] Abhay Singh Baghel ( Gajendra Singh ke chhote bete/Peshe se sarkaari school me headmaster )
¤ Karuna Singh Baghel ( Abhay ki biwi/House wife/Educated )
•Abhay Singh aur Karuna ke do bachche hain_____
(1) Divya Singh Baghel ( Current age 23/Unmarried )
(2) Shagun Singh Baghel ( Current age 18/Student )

[4] Saumya Singh ( Gajendra Singh ki badi beti/Married )
[5] Naina Singh ( Gajendra Singh ki chhoti beti/Talaaqshuda )

Dusre mukhya paatro ka parichay_____

¤ Jagdish Obarai, Ek aisa insaan jiska apna koi nahi tha. Ek accident me uska iklauta beta aur bahu chal base. Kuchh samay baad uski mulaqaat kahaani ke mukhya paatra viraj se huyi. Jagdish obarai ne viraj ko apna beta bana liya aur phir uske naam apni arbon ki saari chal achal sampatti kar di. Wartamaan me is mahaan shakhs ka swargavaash ho chuka hai.

¤ Aaditya chopda, Ek aisa shakhs jo ek fighter tha aur paise me security provide karta tha. Is kahaani ke first part yaani
♡ एक नया संसार ♡ me ye shakhs viraj ka suraksha guard tha lekin baad me viraj se iski dosti ho gayi aur phir ye viraj ke parivaar ka hi ek sadasya ban gaya. Viraj ki maa gauri ne ise apna bada beta bana liya tha. Vartamaan me is anokhe kirdaar ka swargavaash ho chuka hai, aisa kaise hua ye aage chal kar pata chalega.

¤ Pratiksha Chaupda, Ye Aaditya ki bahan hai. Kuchh saal pahle pyaar me dhokhe ka shikaar huyi thi jiske chalte isne makaan ki chhat se kood kar apni jaan dene ki koshish ki thi. Khair jaan to nahi gayi lekin sir me lagi chont ki wajah se koma me chali gayi thi. Present me ye puri tarah theek hai aur mumbai me obarai group of companies ki dekh rekh karti hai. Company ka saara kaaryabhaar iske hi upar hai, waise iski help ke liye kayi bharosemand log chaubeeso ghante maujood rahte hain.

¤ Sonam Singh, Ye Pratima Singh ki badi bahan Poonam Singh ki dusari beti hai. Badi beti ka naam Anjali Singh hai jo peshe se doctor hai. Khair, sonam singh current me 30 saal ki hai aur peshe se doctor hai. Sonam ki shaadi ho chuki hai. Pati ka naam Abhinav Singh hai jo khud bhi peshe se doctor hai. Sonam singh shaadi nahi karna chaahti thi lekin apne maa baap yaani poonam aur mahesh singh ki zid aur unke emotional blackmail ke chalte ise unki hi pasand ke ladke yaani ki abhinav se shaadi karni padi thi.

¤ Rukmini Singh, Ye viraj ke bachpan ke dost pawan ki maa hain. Inke pati pahle hi swargavaashi ho chuke the. Inke pawan ke alaawa ek badi beti bhi hai jiska naam Aasha hai. Rukmini, viraj ke parivaar ke sath hi parivaar ki sadasya ban kar rahti hai.

¤ Aasha Singh, Ye Rukmini ki beti aur pawan ki badi bahan hai. Current me iski age 31 saal hai. Aasha ki kuchh saal pahle shaadi ho chuki hai, ye alag baat hai ki iski shaadishuda zindagi mahaj formality ke siva kuchh nahi rah gayi hai. Aisa kyo hai iska kahaani me aage chal kar hi pata chalega.

¤ Pawan Singh, Rukmini ka beta aur Aasha ka chhota bhai. Viraj ke bachpan ka sabse jigari yaar. Current me ye mumbai me hai aur obarai group of companies me senior post par kaaryarat hai. Waise Pratiksha ke baad ye dusra aisa shakhs hai jo company ke itne bade empire ki dekh rekh bhi karta hai.

Kuchh aur important paatron ka short parichay______

¤ Jagmohan Singhaniya, Ye shakhs business ki duniya se taalluk rakhta hai aur kayi bade bade logo se iske sambandh hain, jinme apraadh jagat ke log bhi shaamil hain.

¤ Maya Singhaniya, 24 saal ki ye khubsurat bala jagmohan singhaniya ki ek maatra aulaad hai. Apni khubsurti aur apne akoot paison ka behad ghamand hai ise. Behad hi ziddi kism ki ladki hai ye. Dimaag kaafi tez hai iska. Iske baare me pura vivran kahaani me aage chal kar hi pata chalega.

¤ Arjun Sahaay, 28 saal ka bahut hi makkaar insaan. Iska baap Ajeet sahaay peshe se criminal lawyer hai. Ajeet sahaay jagmohan singhaniya ka khaas wakeel hai. chaahe jaisa bhi case ho, agar aapke paas iski fees dene ke liye maakool paisa hai to aap iske dwara koyi bhi case jeet sakte hain. Arjun sahaay apne baap ke hi nirdesh par jagmohan singhaniya ki beti maya ko apne pyaar ke jaal me fansa kar usse shaadi karna chaahta hai, taaki jagmohan singhaniya ki akoot daulat par uska aur uske baap ka adhikaar ho sake.

¤ Wafa Khan, Ek aisi mushlim ladki jisne mohabbat me saari hade paar kar di. Iske baare me pura vivran kahaani me aage chal kar pata chalega.

Dosto, ye to the is kahaani ke mukhya kirdaar. Halaaki is kahaani me kirdaar to aur bhi hain lekin un sabka vivran kahaani me unki bhoomika aane par hi diya jayega. Aap sabse bas yahi ummeed karta hu ki aap sab apna saath aur sahyog hamesha banaye rakhenge, saath hi aap sab kathaanak ko baareeki se padhenge aur apne vichaar apne review ke dwara dete rahenge.

━━━━✦༺❁༻✦━━━━
जगदीश ओबराई , जिन्होंने विराज को अपना बेटा माना , जिन्होंने उसकी फेमिली को अपना फेमिली माना , विराज के नाम अपना सब कुछ लिख दिया था । जिन्होंने विराज को हर समय एक पिता के तरह साहस दिया वह आज इस दुनिया में ना रहे । ऐसा नहीं होना चाहिए था। कितने अच्छे इंसान थे । 😞
 
I

Ishani

━━━━✦✦━━━━
KAYAKALP
━━━━✦✦━━━━

Update - 01

----------

Raat ke andhere me apne bed par gahari neend me soye huye shakhs ki neend kuchh ajeeb si baat se khul gayi. Choonki kamre me gahan kaala syaah andhera tha is liye shakhs ko kuchh nazar na aaya. Wo bed par usi haalat me lete huye kuchh palo tak apni aankho ko idhar udhar nachata raha. kamre me hi nahi balki har taraf gahan sannaata faila hua tha. Shakhs ko kamre me andhere ki vajah se kuchh dikha to nahi lekin samooche kamre me kisi cigarette ke dhuye ki badboo faili huyi mahsoos huyi thee. Uski neend us dhuye ki badboo ki vajah se hi khuli thi. Use sote waqt aisa lag raha tha jaise koyi garam garam cheez baar baar uske chehre se takra rahi hai. Naank me badboo ka tez jhonka sa pad raha tha jiski vajah se uski neend toot gayi thi.

Kuchh palo tak idhar udhar dekhte rahne ke baad jab uski aankhe andhere me kuchh dekhne ke kaabil huyi to sahsa wo chaunka. Lagbhag do qadam ki doori par lekin upar hawa me use ek chhota sa laal bindu nazar aaya jo apni jagah se thode antaraal me upar uthta aur phir apni jagah par vaapas aa jaata tha. Shakhs ko samajhte der na lagi ki wo darasal jalti huyi cigarette hi thi.

Apne alaava kisi ajnabi ko is tarah kamre me is waqt mahsoos karte hi wo shakhs buri tarah ghabra gaya. Ekaek hi uska dil itni tezi se dhadakne lag gaya tha ki uski dhamak kamre me bhi goonjti sunayi de rahi thi. Ek anjaane dar ki vajah se uske chehre ka rang palak jhapakte hi ud gaya tha, saath hi chehre par paseena jhilmila utha tha.

Badi mushkil se khud ko samhaalte huye vo shakhs bed se bahut hi ajeeb andaaz me utha aur phir baith gaya. Cigarette ki jalti huyi lau ki taraf dekhte huye usne kuchh kahne ke liye apna mukh khola zaroor magar uske halak se aavaaz khaariz na ho saki. Mano mastishk ekadam se sunn sa pad gaya tha, warna itna to wo pal me hi kar sakta tha ki paas me hi rakhe table lamp ko jala leta, taaki kamre me kuchh to roshni ho jaati aur kamre me maujood koyi shakhs use nazar aa jaata.

"Ka..ka....kaun hai??" Bed par dara sahma baitha wo shakhs badi mushkil se bola magar uske puchhne par jab koyi pratikriya na huyi to uski dhadkane aur tez ho chali. Itna to use yakeen ho chuka tha ki kamre me koyi hai.

"Bo..bolte..kyon nahi??" Wo shakhs phir se dare sahme lahje se bola___"Kaun hai yaha??"
"Kamaal karte ho pyare." Kamre me ek dusri magar ajeeb si aavaaz goonji___"Puchhne se behtar to yahi tha ki tum kamre ki batti jala lete. Ham daave ke saath kah sakte hain ki us soorat me tum hamari mohini soorat dekhte hi hame pahchaan jaate. Khair koyi baat nahi, jo kaam pahle nahi kiya vo ab kar lo miyaan."

Kamre me gooje in waakyo ko sun kar bed par baithe huye shakhs ke dimaag ne maano kaam kiya lekin ye sab sun kar uski hava shant ho gayi thi. Use samajh nahi aaya ki kaun ho sakta hai is vakt uske kamre me? Dusri baat uske band kamre me koi byakti aa kaise gaya tha? Khair udhedbun aur sahmi si hi haalat me usne khud ko taqaleef di aur paas me hi ek taraf deevaar par lage bijli ke switch ko tatol kar usne ek button daba di. Nateeja palak jhapakte hi kamre me tube light ka dudhiya prakaash fail gaya. Kamre me prakaash hote hi vo palta aur kuchh hi duri par khade shakhs ko dekh kar buri tarah uchhal pada.

Bed se lagbhag do qadam ki doori par ek aisa shakhs khada tha jiske jism par is wakt kaala syaah libaas tha. Uske jism ka koi bhi hissa nazar nahi aa raha tha. Chehre par yakeenan naqaab lagaye huye tha wo lekin is wakt uske chehre par se naqaab hata hua tha jiska hissa uske sir par tika hua tha. Uske daahine haath me ek cigarette thi jo aadhe se jyaada jal chuki thi. Chehra benaqaab tha is liye prakaash me saaf chamak raha tha. Gore chitthe chehre par badi badi daadhi moonchh thi. Is wakt uske chehre par patthar jaisi kathorta kaayam thi. Aankho me aise bhaav the jaise wo bed par baithe shakhs ko jala kar raakh kar dega.

"Tu...tu..tum???" Bed par baitha shakhs use dekhte hi buri tarah uchhal pada tha aur saath hi uske chehre par ghabraahat ke bhaav bhi ubhar aaye the.
"Dekha." Us kaale labaade waale ne ajeeb bhaav se kaha___"Hamne kaha tha na ki kamre ki batti jala lete to tum hame fauran pahchaan jaate."

"Dekho maine kuchh nahi kiya tha." Bed par baitha shakhs ekaek hi dahshat me bol pada___"Aur na hi usme mera koi haath tha. Main kisi ki bhi qasam kha kar kah sakta hu ki maine use nahi maara aur na hi us sabse mera door door tak koi sambandh tha."

"Agar tumhara sambandh hi nahin tha pyaare." Kaale labaade waale ne bed ki taraf aate huye kaha___"To is wakt tum kisi rattu tote ki tarah khud hi kaise kah rahe ho ki tumne use nahi maara? Dusri important baat ye ki mujhe dekhte hi ye kaise kah baithe ki____Tum??? Matlab saaf hai disuza ki tum mujhe bhali bhaanti jaante ho aur ye bhi ki main yaha kis liye aaya hua hu. Maine to tumse abhi koi baat bhi nahi ki ya ye kahu ki kuchh poochha hi nahi, balki tum apne aap hi ye sab kahte chale gaye. Iska matlab to yahi hua na pyaare ki tumhara har baat se sambandh hai."

"Na..nahi nahi." Bed par baitha hua disuza naam ka wo shakhs kaale labaade waale ki baate sun kar buri tarah ghabra gaya, bola____"Aisi baat nahi hai. Main ye maanta hu ki main tumhe jaanta hu, kyonki tum koi maamuli aadmi nahi ho, magar iska matlab ye nahi hai ki mera us sabse koi matlab hai. Please mera yakeen karo."

"Zaroor karuga pyaare." Kaale labaade waale ne disuza ke chehre ke paas jhuk kar uski aankho me jhaankte huye kaha____"Magar tum saabit karo ki tumne kuchh nahi kiya. Yakeen maano disuza agar tum saabit kar doge ki tumne kuchh nahi kiya to main alaadeen ke chiraag se nikle jinn ki tarah waapas chiraag me sama jaauga lekin agar tum saabit nahi kar paye aur mujhe santusht nahi kiya to tum soch bhi nahi sakte ki phir tumhare saath kya ho sakta hai."

Kaale labaade waale ki ye baat sun kar disuza fauran hi kuchh bol na saka. Uska chehra paseene se poori tarah bheeng chuka tha. Maut ka khauf uski aankho me saaf dekha ja sakta tha. Unhi khauf bhari aankho se wo apne paas jhuke us shakhs ko dekhte rahne ki koshish karta raha magar jald hi wo apni koshish me nakaam ho gaya. Shayad saamne waale ki dahshat ne uski himmat ka khoon kar diya tha.

"Mujhe pata hai disuza." Disuza ko khaamosh dekh us shakhs ne shakht bhaav se gurraate huye kaha___"Ki tu saabit nahi kar sakta. Itne saalo se main tujhe kutte ki tarah dhoondh raha tha magar tu us kaand ko karne ke baad aise gaayab ho gaya tha ki tujhe dhoondhne me mujhe aaj paanch saal lag gaye. Magar mujhe yakeen tha ki tu ek din mujhe milega zaroor aur phir mere haatho bad se badtar maut bhi marega."

"Nahii." Disuza naam ka shakhs buri tarah dahshat ke maare ro pada, fir gidgidaate huye bola____"Mujhe maarna mat please. Main sach kah raha hu maine waisa kuchh bhi nahi kiya jaise ki tum baat kar rahe ho. Zaroor tumhe koi bahut badi galatfahmi huyi hai. Main to pichhle paanch saal se is liye gaayab tha kyonki main indiya me nahi tha balki dubai chala gaya tha. Darasal police mujhe paagal kutte ki tarah dhoondh rahi thi is liye apni aur apne parivaar ki suraksha ke chalte main parivaar sahit dubai chala gaya tha."

"Ye to tune sach kaha disuza." Kaale labaade waale shakhs ne kaha___"Tu waakayi pichhle paanch saal se apne parivaar ke saath dubai me tha, magar police ya kaanoon se chhupne ke liye nahi balki mere haatho marne se bachne ke liye. Is desh ki police ko main achchhi tarah jaanta hu. Wo usi ka saath deti hai jo rishwat ke roop me uska achchha khaasa pet bharta rahta hai. Doosre, taakatvar aadami par police ya kaanoon haath daalne se katraata rahta hai. Is liye tu ye mat kah ki tu police se bachne ke liye dubai me tha. Khair ab tak to tujhe pata chal hi gaya hoga ki tere sabhi saathiyo ka swargwaash ho chuka hai, jo ki meri hi meharbaani se hua hai. Us kaand ko anjaam dene waalo me ek bas tu hi bacha tha so aaj tera bhi time aa gaya swarg sidhaarne ka."

"Nahi nahi please mujhe mat maaro." Disuza ekaek bed se uth kar kaale labaade waale ke pairon me gir pada phir gidgidaate huye bola____"Main marna nahi chaahta. Mere biwi bachche sab anaath ho jayenge. Maine wo saare galat kaam chhod diye hain jo main pahle karta tha. Ab to main nihaayat hi shareef aur izzat ki zindagi ji raha hu. Main apna gunaah kabool karta hu ki maine paanch saal pahle apne saathiyo ke saath us kaand ko anjaam diya tha. Uske liye main tumhari koi bhi saza bhugatne ko taiyaar hu magar....."

"Magar paani me rahta hai disuza." Shakhs ne kaha____"Yaha tumhaare kamre me kaha se aa gaya?"
"Kya matlab??" Disuza chakaraaya____"Main kuchh samjha nahi."
"Aage bolo pyaare." Shakhs ne puchkaarte huye kaha___"Aage kya kahne waale the tum ki beech me ye magar aa tapka tha?"

"Oh haan." Disuza matlab samajhte hi jaldi se bol pada___"Magar ye ki main marna nahi chaahta. Baaki us sabke badle main apani saari daulat aur dhan sampatti dene ko taiyaar hu."
"Daulat ki baat mat kar disuza." Kaale labaade waala gurraaya____"Kyon ki ye mere liye koi maayne nahi rakhti. Apna to ek hu usool hai____Jaan ke badle jaan, is liye tujhe apni jaan dekar hi wo keemat chukaani hogi."

"Nahi nahi please." Disuza ki aankhe chhalak padi____"Aisa mat karo. Mere mar jaane par mere biwi bachche anaath ho jayenge. Us sabki saza to mujhe mil bhi chuki hai. Mere aath saal ke bete ko god ne mujhse chheen liya. Ek beti hai pandrah saal ki, wo bhi bimaar hi rahti hai. Meri biwi raat din usi ke paas rahti hai. Kahne ka matlab ye ki jo paap aur jo apraadh maine kiye hain unki saza mujhe mil chuki hai aur aaj bhi mil rahi hai. Socha tha ki ek beta aur paida karuga magar wo bhi karne ke laayak nahi bacha main. Do saal pahle ek accident me maine apni mardaangi kho di."

"hahahaha matlab neeche ka fuse ud chuka hai tera." Kaale labaade waala zor se hanste huye bola___"Chal kuchh to achchha hua tere saath. Kam se kam is vajah se tujhe apni biwi ke saath raato ko mehnat to nahi karni padti hai." Kahne ke saath hi shakhs ke tewar badle____"Ye to tere karmo ki saza god ke dwaara di hui mili hai disuza jabki jo kuchh tune kiya hai uski saza jab tak main khud tujhe nahi duga tab tak mere us aziz ki aatma ko shaanti nahi milegi. Is liye is baat ka to sawaal hi paida nahi hota ki main tujhe baksh dooga."

Abhi disuza kuchh kahne hi waala tha ki tabhi uski bolti band ho gayi aur aankhe hairat aur dahshat se phat padi. Kaale labaade waale ke haath me palak jhapakte hi ek revolver nazar aaya jiski naal par silencer laga hua tha.

"Chal wo notepad aur pen utha disuza." Kaale labaade waale ne disuza ki taraf revolver taante huye kaha___"Aur phir bina ruke wo sab kuchh likhta chala ja jo main bolta jaau."

Disuza marta kya na karta waali haalat me tha. Use yakeen ho chuka tha ki aaj uski maut pakki hai lekin uske man me savaal ubhra ki notepad me ye shakhs usse kya likhaana chaahta hai? Is savaal me uljha hua disuza hila aur paas hi table me rakhe notepad aur pen ko utha liya. Uske dvaara notepad aur pen uthaaye jaate hi kaale labaade waale ne bolna shuru kiya jise disuza maare hairat ke us notepad me likhta ja raha tha.

"Very good." Notepad me disuza dvaara lamba chauda majamoon likh liye jaane ke baad kaale labaade waale ne uski taraf ek dusra revolver badhaate huye kaha____"Lo ab is revolver se apni khud ki kanpati par goli maaro disuza. Ye tumhaare liye behad aasaan maut milne ka chance hai, warna jaisa tumne kaam kiya tha uske liye to main khud tujhe apne haatho se maut dene ka khwahishmand tha."

"Nahi nahi please aisa mat karo." Disuza ke tirpan kaamp gaye. Apni taraf badhe huye revolver ko dekh kar bola___"Main tumhaare pair padta hu. Mujhe baksh do please."

"Jaldi karo disuza." Kaale labaade waala khatarnaak andaz se gurraaya____"Warna doosre kamre me bed par leti tumhaari biwi aur beti palak jhapakte hi jahannum pahuch jayengi."

"Nahi nahi." Disuza hadbada kar jaldi se bola____"Tum aisa mat karna. Main waisa hi karta hu jaisa tum kah rahe ho."

Disuza ki is baat ko sun kar kaale labaade waala bade ajeeb andaz se muskuraaya. Jabki uske haath me maujood revolver ko disuza ne apne kaampte haatho se liya aur dari sahmi nazro se use dekhne laga.

"Ye cheez tumhaare liye koi nayi to nahi hai disuza." Shakhs ne disuza ko is tarah revolver ki taraf dekhte huye dekh kar kaha____"Balki ye to tumhaara pasandida khilauna hai na? Phir aaj ise liye huye tumhaare haath kyo kaamp rahe hain? Kya is liye ki doosro ko maut ki neend sulaane waala aaj khud apne hi haantho apna hi katl karne waala hai?"

Disuza kuchh kah na saka. Bas ajeeb bhaav se kaale labaade waale ko dekhta raha. Phir jab usne dekha ki us shakhs ke chehre ke bhaav sahsa badalne lage hain to usne ekaek hi us revolver ko kaale labaade waale ki taraf taan kar uska trigger daba diya. Magar halki click ki aavaaz ke siva kuchh na hua. Revolver se goli na nikalti dekh disuza buri tarah baukhla gaya. Usne kayi baar trigger dabaaya magar kuchh na hua. Disuza ke zahen me tez jhanaaka sa hua aur uske dimaag ki batti jal uthi. Use samajhte der na lagi ki revolver khaali hai.

"Tujhe kya laga tha disuza?" Kaale labaade waale ne ajeeb bhaav se kaha____"Tere haath me bullet se bhara hua revolver dene ki main galti kar doonga? Nahi pyaare, mujhe pata tha ki tu palat kar aisa hi karega. Tabhi to khaali revolver pakdaaya tha tujhe. Waise sochne waali baat ye bhi hai ki revolver jaise khilauno se khelne waale insaan ko is baat ka ehsaas kaise na hua ki revolver khaali hai? Shayad iski vajah ye ho sakti hai ki is wakt tu normal haalat me nahi hai. Khair chhod, tune to phir se apni aukaat dikha di disuza magar ab to tujhe marna hi padega. Good bye meri jaan."

Kahne ke saath hi kaale labaade waale ne apne haath me maujood revolver ko disuza ki right kanpati ki taraf aise angel se rakha jisse sabko yahi lage ki disuza ne khud hi apni kanpati par goli maari thi. Isse pahle ki but bana hua disuza kuchh samajh paata ek halki si "Pitt" ki awaaz huyi aur ek dahakta hua shola uski kanpati me sama kar doosre chhor se baahar nikal gaya. Disuza ko tadapne tak ka mauka na mila tha. Kuchh hi palo me bed ke paas hi farsh par ast byast ludhka disuza apni aankhe band kiye nazar aaya. Uska khoon uski kanpati se bahte huye farsh par failta ja raha tha.

Kaale labaade waale ne kuchh pal dead ho chuke disuza ko dekha aur phir wo uske paas hi ghutno ke bal baith gaya. Apne dastaneyukt haath me maujood revolver ko usne disuza ke daahine haath me is tarah fansaaya jisse sabko yahi lage ki disuza ne khud hi goli chalaayi thi aur khud khushi ki thi. Revolver ko haath me fansaane ke baad kaale labaade waale ne doosra waala revolver utha liya jo disuza ke peechhe side gir gaya tha.

"Biwi aur beti ki jhoothi dhamki ne kaam tamaam kar diya pyaare." Kaale labaade waale ne khade hote huye kaha___"Khair upar wala tumhe jahannum ata kare."

Kahne ke saath hi wo shakhs palta aur kamre ke darwaze ki taraf badhte huye baahar nikal gaya. Jabki kamre me disuza ka taaza gaadha khoon farsh par failta ja raha tha. Bed ke ek side wo notepad aur pen rakha hua tha jis par yakeenan kaale labaade waale ne usse uska hi suicide note likhwaya tha. Saara shahar neend ke aagosh me soya hua tha. Kisi ko bhanak tak na huyi thi ki is imaarat me koi disuza naam ke aadmi ka khoon karke gaayab ho chuka tha.

****

Us wakt raat ke do baj rahe the. Raat ke gahre andhere aur sannaate me ek saaya ek makaan ke mukhya darwaze ke paas pahuch kar ruka. Uska daahina haath uske paint ki pocket me gaya aur kuchh hi palo me waapas bhi aa gaya. Uske haath me ek chaabhi thi. Us chaabhi se usne mukhya darwaze ke lock ko badi hi satarkata se khola aur phir darwaze ko bade ehatiyaat se andar ki taraf utna
hi dhakela jitne se ki wo andar ki taraf daakhil ho sake.

Andar aate hi usne darwaze ko andar se band kiya aur phir palat kar andar ki taraf dabe paanv badhne laga. Chalte huye wo andar dring room se hote huye left side bani seedhiyo ki taraf badhta chala gaya. Makaan ke andar poorn prakaash nahi tha balki halki si roshni thi. Seedhiyo se chadhte huye wo upar ek kamre ke darwaze ke paas ruka aur phir darwaze ke handle ko ghuma kar usne darwaza khola. Kamre ke andar andhera tha. Wo darwaze ko kholne ke baad andar daakhil hua aur darwazale ko band kar diya.

Darwaze ke right side lage electric ke switch ko ek haath se tatol kar usne ek button dabaaya. Button ke dabte hi ek chhota sa bulb roshan ho utha jiska dheema prakaash kamre me chaaro taraf fail gaya. Kamre me prakaash hote hi wo palta aur kamre me ek taraf rakhe bed par baithi ek khubsurat ladki ko dekh kar buri tarah chaunka pada, magar fir fauran hi usne khud ko samhaal bhi liya.

"Tum is wakt yaha kya kar rahi ho?" Kamre me aaye shakhs ne behad shakht bhaav se kaha___"Soyi nahi tum ab tak? Jao yaha se."
"Tumhaare aane ka intazaar kar rahi thi." Bed par baithi ladki ne adheerta se kaha___"Waise to roz hi tum raat ko baarah baje tak aa jaate ho lekin aaj jab tum apne time par nahi aaye to main chintit aur pareshaan ho gayi thi."

"Maine tumhe kitni baar samjhaya hai ki tumhe mere liye chintit ya pareshaan hone ki koi zaroorat nahi hai magar tumhe meri baat samajh me kyon nahi aati?" Shakhs ne poori shakhti se lagbhag high swar me kaha____"Ab jao yaha se warna tum jaanti ho ki main bardaast nahi kar sakta."

"Kyo khud ko itna tadpaate ho tum?" Bed par baithi ladki sahsa bed se uth kar aur zara dukhi lahje se boli___"Tum achchhi tarah jaante ho ki main tumhe taqleef me nahi dekh sakti. Main tumhaare liye aur tumhaari sehat ke liye sab kuchh karne ko taiyaar hu. Phir kyo har baar tum mujhe is tarah dutkaar dete ho?"

"Main tumse koi bahas nahi karna chaahta." Shakhs ne kheejhate huye kaha____"Bas tum jao yaha se."
"Nahi jaaugi." Us ladki ne dridhata se kaha____"Aaj main saari raat tumhaare paas hi rahugi. Dekhti hu ki tum khud ko kitna rok kar rakhte ho."

"Tum apne waade se mukar rahi ho ladki." Shakhs ne is baar gusse me kaha___"Mat bhoolo ki main yaha par rahne ke liye tabhi raazi hua tha jab hamaare beech ye qaraar ho chuka tha ki tum mere kamre me nahi aaogi aur na hi jyaada der tak mere saamne rahogi. Tum hamaare beech huye qaraar ka tod rahi ho is liye ab main yaha ek pal ke liye bhi nahi rukuga."

"Nahi khuda ke liye." Shakhs ko waapas darwaze ki taraf palatte dekh wo buri tarah ro padi. Usne fauran hi ghutno par girte huye us shakhs ki ek taang ko pakad liya aur phir boli____"Yaha se mat jaao. Main maanti hu ki maine us qaraar ko todne waali baat kahi hai magar ye tum bhi jaante ho ki aisa maine sirf tumhaari taqleef ko door karne ke liye kaha hai. Aakhir kab tak tum is azaab ko paale rahoge apne andar? Use nikal jaane do na. Main koi gair nahi hu balki tumhe apna sab kuchh maanti hu. Ye alag baat hai ki tum mujhe apna nahi samajhte magar maine tumhe iske liye kabhi majboor bhee nahi kiya. Tumhaari is taqaleef ke chalte tumhe is tarah tadapta bhi nahi dekh sakti is liye kah rahi hu ki tum apne andar ki taqaleef ko mere dvaara shaant kar lo."

"Bakvaas mat karo ladki." Shakhs ne zor ka jhatka de kar usse apni taang chhudaayi aur phir hawa ke jhonke ki tarah darwaza khol kar baahar nikal gaya. Jabki uske peechhe wo ladki roti aur chillaati rahi.

Makaan se baahar aa kar wo shakhs apni car ke paas gaya aur uska driving door khol kar usme jhatke se baith gaya. Is wakt uske chehre par bhookamp ke se bhaav the. Usne car ko start kiya aur phir gear laga kar jhatke se car ko mukhya sadak ki taraf dauda diya. Gear ke paas hi ek red level ki sharaab ki bottle rakhi thi jise usne ek haath se uthaya aur mukh ke paas la kar uska dhakkan khola. Dhakkan khulte hi usne bottle ko apne mukh se lagaya aur gatagat use halak se utaarta chala gaya. Raasta sunsaan to nahi tha magar iske baavjood uski car ki speed sau ke aas paas thi.

Kuchh hi samay me uski car ek aisi jagah ruki jaha saamne ki taraf athaah samandar hilore le raha tha. Aas paas andhera to tha magar kahi kahi kisi bijli ke bulbo ki roshni jugnu ki tarah timtimaati dikhaayi de rahi thi. Reteeli zameen par car rok kar wo shakhs car se baahar nikla. Khaali ho chuki sharaab ki bottle ko usne ek taraf uchhaal diya aur phir car ke andar se ek doosri bottle nikaal kar usne car ka darwaza yu hi khula chhond kar samandar ki taraf badh gaya. Hairat ki baat thi ki itni sharaab peene ke baad bhi uski chaal me koi larjish nahi thi.

Kuchh hi der me wo car se door aa kar samandar ke paas hi ek chattaan par baith gaya. Is beech usne nayi bottle ka dhakkan khol liya tha aur thoda thoda sharaab pi raha tha. Uska chehra samandar ki taraf tha. Andhera to tha magar itna bhi nahi ki samandar par se aati huyi bheeshan lahre use dikhaayi na de. Samandar me door kahi se batti jalti huyi dikh rahi thi. Shaayad koi boat ya ship is taraf hi aa raha tha magar abhi wo kaafi door tha.

Chattaan par baitha hua wo shakhs ektak samandar ki taraf dekh raha tha. Chehre par aise bhaav the jaise samandar ki lahro me wo koi cheez khoj raha tha. Aankho ke saamne baar baar kuchh tasveere chamak jaati thi. Un tasveero me kuchh chehre the jo alag alag feelings ke saath kuchh kah bhi rahe the. Wo kya kah rahe the ye shaayad us shakhs ko hi samajh aa raha tha. Tabhi to uski aankho se ekaek hi aansu chhalak kar girne lage the. Usne ekdam se apne sir ko jhatka aur phir se sharaab ki bottle ko mukh se laga liya. Is baar bottle uske mukh se tabhi hati jab wo poori khaali ho chuki thi. Ekaek hi wo chaunka. Usne fauran hi apna ek haath paint ki jeb me daala aur jab baahar nikala to uske haath me samsung ka ek keypad mobile tha. Jiski screen flash kar rahi thi. Mobile silent mode par tha is liye is wakt usme sirf vibration hi ho raha tha. Shayad vibration ki vajah se hi use pata chala tha ki uske mobile par kisi ki call aa rahi hai.

Mobile ki screen par "Wafa" naam likha aa raha tha. Matlab aane waali call wafa ki thi. Usne ajeeb bhaav se screen par dekha aur phir mobile ko waapas paint ki jeb me daal liya. Kuchh hi der baad mobile ka vibration band ho gaya lekin fauran hi phir se vibrate hone laga. Wafa naam ki koi ladki ya aurat use call kar rahi thi magar shakhs ka uski call uthaane ka koi iraada na tha balki wo phir se samandar ki lahro ki taraf dekhne laga tha.
━━━━✦✦━━━━
प्रतिशोध की आग इंसान को कहीं का नहीं छोड़ता। उस आदमी डिसोजा को तो मार दाला । लेकिन प्रतिशोध की आग के कारण उस आदमी को ये तक ख्याल नहीं आया के दिछोजा के मारने के बाद उसकी बीवी बच्चे का क्या होगा । आँख के आँख , ऐसे तो पूरी दुनिया ही अंधी हो जायेगी ।

आप किसकी फ़िक्र करती है, आप उसकी हरदम सलामती चाहती है । मगर सामने वाला आपकी बात नहीं समझ रहे है और अगर आप चाहती है की सामने वाला इंसान आपकी बात सुने और समझे। इसके लिए आपको उसके कमजोर नस पर पैर रखनी होगी। इससे आपको अपनी बात मनवाने में आपको आसानी होगी। उस लड़के पर यहीं रास्ता आज़माना चाहिए .
 
Top