Incest SAAJAN

Well-known member
3,825
7,371
143
Dosto,

Is kahani ko maine 10 chapter me devide kiya hai…..ye kahani hai……Saajan aur Divya ke agadh Sachche Prem ki, Jaha Hawas ke liye koi jagah nahi hai… Sirf aur sirf Real True Love hai, ye kisi ek janam ki prem kahani nahi hai….balki ye to dono ke pichchle lagatar saat janmo ki Love Story hai….Ye story incest based bhi hai…

Ye kahani hai pyar ki, atoot vishwas ki, dosti ki, dhokha aur nafrat ki, Sex ki…..aur hairat angej ghatnao aur kriya kalapo ki…….

Kya Saajan aur Divya ka Pavitra, Nishchhal, Nihswarth, Nishkaam Prem Safal hoga….? Kya unke is Prem ko ye samaj swikar karega…? Kiski kiski Bali chadhegi is Prem par…? Kya hoga anjam is Prem ka..?



《 INDEX 》
SAAJAN
5th Janam Ki Love Story
Update 《233》
Update 《234》
Update 《235》
Update 《236》
Update 《237》
Update 《238》
Update 《239》
Update 《240》
Update 《241》
Update 《242》
Update 《243》
Update 《244》
Update 《245》
Update 《246》
Update 《247》
Update 《248》
Update 《249》
Update 《250》
Present Time
Update 《314》
Update 《315》
Update 《316》
Update 《317》
Update 《318》
Update 《319》
Update 《320》
 
Last edited by a moderator:
Well-known member
3,825
7,371
143
SAAJAN
UPDATE- 207
5th Janam Ki Prem Kahani...

Uske jane ke baad main kuch der tak uss mahatma ke bare me sochta raha aur mann me vichar kiya ki aaj dophar me unki jhopdi me milne jaunga….ye mann hi mann abhi soch hi raha tha ki achanak tabhi mere sine me ek bechaini si hone lagi…kuch hi samay me ye bechaini had se jyada badh gayi to maine vaha se jana hi behtar samjha aur gaon jane ke jaise hi palta vaise hi kisi se takra gaya.

Takrane wali koi ladki thi…mujhse takrate hi vo dhadam se niche gir gayi….uske bade bade kesh hawa me lahra uthe girne se…uska chehra niche ki taraf tha jisse mujhe dikhayi nahi diya…girte hi uske mukh se koyal si masumiyat bhari awaz nikli…

"Aaahhhh….Maar Dalungiii." Apni naak ke neeche ungli ghumate huye usne badi hi masumiyat se kaha.

Kahne ke sath hi vo palat gayi aur phir uske chehre par nazar padte hi main jaise apni sab sudh budh bhul baitha..

Ab aage…..

Uska aisa anupam soundarya dekh kar meri ankho ne palak jhapakna hi chhod diya….dil ki dhadkan achanak hi itni tez ho gayi jitni pahle kabhi nahi huyi thi…main to bas chatak pakshi ki tarah uske chaand chakor jaise mukh mandal ki shobha me doobta chala ja raha tha…na tann ki koi sudh rahi aur na hi mann ki.

Jitu (mann me)—aisa kyo lag raha hai ki main iski hi talash me dar dar bhatak raha tha ab tak…aisa adbhut soundarya to raj mahal me bhi durlabh hai….isko dekhte hi mujhe aisa kyo lag raha hai jaise ki mera isse kayi janmo ka nata hai mere hriday me prem ki lahre kyo uth rahi hain…aaj se pahle aisa to kabhi nahi hua..

Vahi vo ladki bhi usko dekh kar kuch pareshan si ho gayi…uske hriday me bhi halchal uttapann hone lagi thi kintu usne kisi tarah se khud ko sanyamit kar liya.

Ladki—aise kya anar jaisi badi badi ankhe nikal ke tukur tukur kar ke dekh raha hai, jaise ki mujhe kha jayega….pahle kabhi ladki nahi dekhi kya..?

Jitu—(koi jawab nahi….bas ektak dekhne me magn)

Ladki—ye fatichar...main tujhse hi puch rahi hu...ye khuli ankh ke andhe ...kaano se bahra bhi hai kya... ?

Jitu—(koi jawab nahi)

Ladki—ye pagal aise ghurna band kar mujhe....maar dalungii...haan,

Jitu—(koi prati kriya nahi siway ektak niharne ke)

Ladki—mat sunne do….lagta hai ki sach much ka bahra hai….chalo iske paas se jaldi nikal jati hu….vaise bhi iske paas rahne se mera dil joro se dhak dhak kar raha hai…aisa lagta hai ki jaise main iss pagal ko sadiyo se janti hu…par aisa kaise ho sakta hai…main to isko aaj pahli bar hi dekh rahi hu…phir mera dil meri baat kyo nahi sun raha hai….iske paas agar jyada der ruki to main bhi iske jaise hi pagal ban jaungi.

Vo ladki mere paas jo kuch bhi tha vah sab hadap ke chalte bani…main abhi bhi usko hi dekhne me khoya hua tha. Jate jate usne ruk kar ek bar palat ke dekha.

Ladki (naak ke niche ungli pher kar)—maar dalungiii

Uske jane ke baad bhi main vaise hi khada raha….apne upar pani grta mahsoos hone par mera dhyan bhang hua to malum chala ki barish hone lagi thi…maine barish ki parwah na kar ke uss ladki ko dekhne laga kintu vah vaha se kab ki ja chuki thi.

Main poora din uss ladki ki phir se ek jhalak pane ke liye idhar se udhar bhatakta raha…jab uska koi pata nahi chala to shaam hone par vapis apni jagah lout aaya.

Raat me maine bhojan bhi nahi kiya aur chupchap let gaya….kintu lakh prayas ke baad bhi neend jaise aaj mujhse ruth gayi thi….ankho se uss ladki ki sundar chhavi mere manas patal se hatne ka naam hi nahi le rahi thi….uska chehra ankho se hote huye mere hriday me utar chuka tha.

Ankho ankho me hi poori raat gujar gayi….subah hote hi main jaldi uth kar nitya karm se fursat hone ke baad phir se uss ladki ki talash me ghoda le kar nikal gaya….bahut der tak bhatakne ke baad bhi mujhe uska koi surag na milne se main nirash ho kar ek jagah baith gaya.

Jitu (mann me)—kaha gayi hogi vo….? Kaha rahti hogi.... ? ab kaise usko dekhu phir se... ? kyo na ussi jagah par nadi kinare uska intazar karu jaha kal mujhse vah takrayi thi.

Ye soch kar main vaha se uth kar ghode ki lagam khichi aur kal wale sthan par aa kar uski pratiksha karne laga.. kafi samay vyatit hone ke baad bhi jab vo nahi aayi to maine socha ki kyo na nadi ke uss paar bani uss mahatma ki jhopdi me chal kar kam se kam unke darshan hi kar liya jaye.

Maine jaise hi uss jhopdi me kadam rakha hi tha ki meri dahini baanh fadakne lagi aur sir me tez dard uthne laga, main kafi hairan ho gaya...dard ki vajah se kuch pal ke liye meri ankhe band ho gayi.

Jitu (mann me)—iss jhopdi me kadam rakhte hi meri dahini bhuja kyo phadak rahi hai aur sir me dard bhi ho raha hai.. ? iska kya karan ho sakta hai... ? ya phir jo honi ho, uske dwar kahi se bhi khul sakte hain...

Lekin kuch hi samay me vo dard aur baanh ka fadakna band ho gaya….uske Agle hi pal jab maine ankhe kholi to ek bar phir se meri hairangi ki seema na rahi….kyon ki iss samay maine khud ko uss jhopdi me hone ki bajaye ek sundar vatika (bagicha) me paya...

"Aao sakhiyo...idhar aao." Tabhi kisi ladki ki shahad me ghuli madhur vani kano me sunayi padi.

Jitu (hairan)—akhir kya raaz hai iss jhopdi ka... ? koun hai vo mahatma... ? bahar se ek choti si dikhne wali jhopdi ke andar itna bada sansar bhi ho sakta hai, iski to kisi ne kalpana bhi nahi ki hogi kabhi...jidhar se ye awaz aa rahi hai udhar hi chal kar dekhta hu.

Main uss disha me chala gaya jidhar se kisi ke baate karne ki awaz aayi thi...vaha pahuch kar maine dekha ki kuch ladkiya apne akaar ke anuroop ghade liye, unse chote chote poudho ko pani deti huyi idhar hi aa rahi thi...tabhi achanak kisi ko dekhte hi main chounk gaya aur phir mera rom rom pulkit ho utha...mere hriday me ek aloukik khushi ki tarang hilore lene lagi.

Jitu (mann me)—arey ye to vahi ladki hai…lekin yaha iss jhopdi ke andar…? Lagta hai ki koi bahut bada gahra rahasya chhupa hai iss jhopdi me…..sach, kitni sundar lagti hai ye ladki…akhir koun hai ye jiske liye mera mann itna vyakul ho raha hai kal se iski ek jhalak dekhne ke liye….raj bhavan ke liye bhi durlabh yeh roop inn kanyayo ka hai…aur ye ladki ke roop jaisi to iss lok me milna asambhav hai….kudrat ki asim karigari hai ye ladki…iske roop ne to iss pushpa vatika ke roop ko bhi feeka kar diya hai.

Main vahi chhup kar usko dekhne laga...thodi hi der me vo apni do sakhiyo ke sath idhar hi aane lagi aur jaise jaise vo nazdik aati ja rahi thi meri vyakulta bhi badhti chali ja rahi thi.

Ek sakhi—divya, mujhe lagta hai ki tere pita kanv rishi ko iss ashram ke vriksh tujhse kahi adhik priy lagte hain tabhi to phoolo se bhi komal apni ladki ko, inhe pani seenchne me laga diya hai.

Vahi Ladki (Divya)—Anusuiya, ye pita ji ka hi adesh nahi hai balki mujhe khud bhi in phulo se bahut sneh hai.

Dusri sakhi—divya, garmi me phool dene wale vriksho ko to hum seench chuki hain…chal ab unhe bhi seench de jin par phool aane ka samay beet chuka hai…iss nishkam karm se bahut punya hoga.

Divya—tu theek kahti hai priyamvada.

Jitu (sun kar, apne aap se)—Ohhh...to ye kanva rishi ki beti divya hai...ye naam jane kyo, par bahut jana pahchana sa lag raha hai...aisa lag raha hai jaise ki iss naam se mera koi bahut gahra rishta hai...isse ashram ke kaam me laga kar rishi ne vivek ka parichay nahi diya...

Divya—dekh anusuiya, priyamvada ne meri choli ko kitna kas diya hai...mujhe taklif ho rahi hai...isko thoda dheela kar de.

Priyamvada (haste huye)—mujhe kyo kosti hai... ? apne ubharte youvan ko kos, jisne tere stano me itna ubhar la diya hai...ye sara kasoor tere dono stan ka hai jo nariyal ki tarah bade bade ho gaye hai, ab usme bechari choli kya kare, vo to kasegi hi na sakhi..

Jitu (mann me)—theek kaha isne...yeh abhinav sharir, maheen gaantho se kandhe par kase, apne stano ke vistar ko apne me samete, iss choli me apni shobha ussi tarah nahi dikha pa raha hai peele patto ke jhurmut me ek naya phool...choli iske anuroop nahi hai phir bhi isse iska sharir rukha lage aisa nahi hai, kyon ki...keechad se ghira hone par bhi kamal hamesha sundar hi rahta hai...kalima ke rahte bhi chaand, chandni chhitkata hai...iss mrig nayani ke sharir par ye choli bhi khubsurat lag rahi hai....divya ek khili kamalini hai.

Divya (samne dekh kar)—anusuiya, priyamvada...hawa se hilti ungliyo se yeh aam ka vriksh mujhse kuch kah raha hai, aisa lagta hai...chal kar isko bhi pani de du jisse ye bhi lahlaha uthe.

Priyamvada—dekh, kuch der iske paas hi ruki rahna..

Divya—kyo…?

Priyamvada—tere paas hone se lagta hai ki aam ke vriksh ko ek nayi lata ka sath mil gaya hai.

Divya—aisi baate karti hai isliye to tera naam priyamvada hai.

Jitu (mann me)—priyamvada ka kahna bilkul sach hai…naye kopal ke jaise iske lal adhar, komal tahniyo ke jaisi dubli baanhe, aur lubhavne phool ki tarah iske ango me khila divya ke khubsurat youvan.

Anusuiya—iss chameli ke poudhe ko to tu bhool hi gayi, divya…jisne aam ke vriksh se swayamvar rachaya hai aur jise tune hi vandevi naam de rakha hai..

Divya—ise bhulungi to apne aap ko bhi na bhool jaungi…? Sach, inn dono ki rati ke liye kitna sundar samay hai yeh. Iss chameli ka youvan phoolo se lad gaya hai…aur aam par phalo ka itna bhar hai ki vah upbhog ke liye jhuka ja raha hai.

Priyamvada (mushkura kar)—anusuiya, tu janti hai ki divya iss chameli ki taraf itna kyo dekhti hai... ?

Anusuiya—bata, kyo dekhti hai….?

Priyamvada—isliye ki jaise iss chameli ko apne anuroop viksh mila hai vaise hi divya ko bhi apni pasand ka pati mile.

Divya—yeh tu apne mann ki baat kah rahi hogi.

Priyamvada—bas samajh le ki tera vivah ab hone hi wala hai..

Divya—yeh tere apne mann ki chah hogi,...ja, main teri baat hi nahi sunungi ab.

Anusuiya—tabhi to divya iss chameli ko itne pyar se pani diya karti hai...hihihi

Divya (naak ke niche ungli ghuma kar masumiyat se)—Maar dalungiii…

Priyamvada—kuch bhi kah le divya…mujhe to lagta hai ki tujhe tera saajan jaldi hi mil jayega…

Divya (chounk kar, mann me)—saajan..! saajan…saajann….ye naam kuch suna suna jaisa lag raha hai….iss naam ko sunte hi mujhe bechaini kyo ho rahi hai…? Dil itni tezi se kyo dhak dhak kar raha hai…..?

Anusuiya—aur nahi to kya...maine to suna hai ki divya jab choti thi tab aksar sote huye saajan...saajan..jor jor se chillati thi...aur phir khoob roti thi....baad me kanv rishi ne apne mantro se kuch kiya, tab ja kar iska cheekhna chillana kam hua...

Divya (mann me)—mujhe aisa kuch yaad kyo nahi hai.... ? kya saajan se mera koi pahle janam ka rishta hai... ? koun hai ye saajan...aur kya ab bhi hai... ?

Tabhi chameli ke poudhe me pani dalne se uss par baitha ek bhanwara divya ke muh ke aas paas mandrane laga jisse vo ghabra gayi aur usko vaha se bhagane lagi.

Jitu (mann me)—divya ka bhanwre ko hatana bhi kitna sundar lag raha hai...jidhar jidhar se bhanwara udkar aata hai, udhar udhar ko iski tirchhi ankhe ghum jati hain....inn ankho me kamna nahi, kewal bhay hai..phir bhi iski nachti bhounho ko dekh kar lagta hai ki ye kewal drishti vilas ka hi abhyas kar rahi hai....iski chanchal aur kampti ankho ko chhukar bhed ki baat kahne ki tarah kano ke paas dhire se gun guna kara aur lagatar iske hath patakne par bhi chupke se iska adharpaan kar ke ud jata hai.

Divya—anusuiya, priyamvada...bachao na mujhe iss dusht bhanwre se...ye to hath pair dho kar mere piche hi pad gaya hai.

Dono (mushkura kar)—hum koun hoti hain tujhe bachane wali... ? pukarna hai to yuvraj jitu ko pukaro jo iss rajya ke hone wale maharaj hain aur hum sab ke rakshak bhi.

Divya—(naak ke niche ungli ghumate huye) Maar Dalungiii....chalo yaha se...jaldi...ye bhanwra to mera picha hi nahi chhod raha hai...chalo...

Jitu (mann me)—abhi mat jao divya...abhi to maine jee bhar ke tumko dekha bhi nahi hai...
Ai Meri Zindagi Yu Mujhse Daga Na Kar,
Use Bhula Kar Jinda Rahu Dua Na Kar,
Koi Use Dekhta Hai To Hoti Hai Taklif,
Ai Hawa Tu Bhi Use Chhuwa Na Kar…​
 
Well-known member
3,825
7,371
143
SAAJAN
UPDATE- 208
5th Janam Ki Prem Kahani Continues....

Divya—(naak ke niche ungli ghumate huye) Maar Dalungiii....chalo yaha se...jaldi...ye bhanwra to mera picha hi nahi chhod raha hai...chalo...

Jitu (mann me)—abhi mat jao divya...abhi to maine jee bhar ke tumko dekha bhi nahi hai...
Ai Meri Zindagi Yu Mujhse, Daga Na Kar,
Use Bhula Kar Jinda Rahu, Dua Na Kar,
Koi Use Dekhta Hai To, Hoti Hai Taklif,
Ai Hawa Tu Bhi Use, Chhuwa Na Kar…​
Ab aage…..

Jitu (mann me)—Yahi sahi avsar hai inke samne aane ka…

Teeno jaise hi jane ke liye mudi hi thi ki main ped ke piche se nikal kar unke samne aa kar khada ho gaya.. mujhe dekhe hi vo teeno ghabra gayi...aur darr kar vaha se bhagne ki koshish karne lagi.

Jitu—Dekho, daro nahi...daro nahi...(apne mann me sochte huye)..par isse to inhe pata chal jayega ki main hi yuvraj jitu hu...nahi, mujhe ek samanya atithi ki tarah hi aacharan karna chahiye..

Divya—Ye dust to samne se hatne ka naam hi nahi le raha hai....to main hi dusri oar chali jati hu...haaye, yeh to idhar bhi piche piche chala aa raha hai....tum dono bachao mujhe...

Jitu (jaldi se aage aa kar)—Dusto ke vinashak yuvraj jitu ke shasan me aisa koun hai bhala jo itni bholi bhali kanyayo ko pareshan kar raha hai... ?

Divya (mann me)—ye to vahi kal wala admi lagta hai…lagta hai ki mera picha karte huye yaha tak aa gaya…? Kintu yaha tak pahuchna to iss ashram vasiyo ko chhod kar anya kisi ke liye to asambhav hai phir ye kaise yaha aaya.. ?

Anusuiya—koi pareshan nahi kar raha hai...bas ek bhanwra hai, jiske paas aa kar mandrane se hamari sakhi darr gayi hai.

Jitu—kaho, kaha hai vah bhanwra... ?

Priyamvada—lagta hai ki aap yuvraj jitu ke koi pahchan wale hain...jao, divya ja kar ashram se inn vishesh atithi ke liye kuch phal le aao khane ke liye...pair dhone ka pani yahi se mil jayega.

Jitu—nahi..nahi...aap teeno ki madhur vani se hi hamara swagat satkar ho gaya.

Anusuiya—aap iss patthar me baith kar apni thakaan mita le....yaha thandi chhaya bhi hai.

Jitu—aap bhi to inn poudho ko pani dene ke punya karya se thak gayi hongi…aap log bhi kuch der baith jaye.

Priyamvada—aa ja divya, kuch der baith jate hain…atithi ka aadar karna hamara kartavya hai.

Divya (mann me)—koun hai yeh…? Kyo iss admi ko dekh kar mera mann khushi se vichlit ho raha hai…? Kyo mann me aisi bhavnaye uth rahi hain jo iss ashram ki maryada ke anukul nahi hain…?

Jitu—aap teeno ki ek si umra aur ek se roop ki mitrata kitni achchi lag rahi hai..

Priyamvada (kaan me)—Yah koun vyakti ho sakta hai anusuiya…? Shakal aur surat me itni gambhirta hai ki jiski koi thaah nahi, aur baat karne ke dhang me mithas bhi hai aur sath me prabhav aur udarta bhi hai.

Anusuiya (dhire se)—Yahi utsukta mere mann me bhi hai…kyo na isse hi puch liya jaye…?

Priyamvada—haan, ye theek rahega..

Anusuiya—kya main aap se kuch puch sakti hu…?

Jitu—avashya puchiye…

Anusuiya—apki madhur vani se prabhavit ho kar main ye jaane ke liye utsuk ho gayi hu ki aap kis rajvansh se hain..jiski shobha apke chehre par hai…? Apka koun sa desh hai jisko ki aap virah se usko chhod aaye hain…? Koun sa karan hai jisse aapne apne komal sharir ko yaha tapovan me aane ka kasht diya hai…?

Divya (mann me)—Vyakul mat ho hriday..! Jo tu soch aur janna chah raha tha, vah anusuiya ne puch liya hai..

Jitu (apne mann me)—Ab inhe apna parichay kaise du....kaise bataau ki main to yaha uss kali pahadi ke piche chhipe rahasya ka pata lagane aaya hu... ? aur jiske karan maine sabse apna asli bhesh chhupaya hua hai...kya inse bhi apna asli parichay chhupaau... ? haan, yahi theek rahega...

Jitu—Dekhiye main ek ved vid brahman hu...yuvraj jitu ne mujhe apne nagar ke dharmadhikar ke karya me niyukt kar rakha hai…mann me iss pavitra ashram ko dekhne ki lalsa thi, isliye iss dharmvan ki oar chala aaya hu.

Anusuiya—Yaha rah kar dharmacharan karne walo ke liye ye gaurav ka vishay hai...

Priyamvada—Divya, aaj agar rishi kanva yaha hote to......

Divya—to kya hota…?

Anusuiya (mushkura kar)—to apna sab kuch dekar bhi iss vishesh atithi ka satkar karte…

Divya (banawati gussa dikhate huye)—maar dalungiii….chalo hato..tum log kuch aur hi mann me rakh kar baat kar rahi ho…main tumhari baat nahi sunti..

Jitu—hum bhi aap ki sakhi ke vishay me kuch puchna chahte hain…

Priyamvada—Yeh apka anuggrah hai….isme yachna kaisi…?

Jitu—maharshi kanva to janm se hi bramhachari hain to ye apki sakhi unki beti kaise hai….?

Anusuiya—Iske mata pita ke vishay me to sirf kanva rishi hi jante hain…lekin ye jarur hame pata hai ki kanva rishi ko hamari sakhi kali pahadi ke jungle me mili thi jab vah kewal mushkil se kuch maah ki hi thi…rishi usko utha kar ashram le aaye aur uska paalan posan karne lage..tab se iss naate se vahi iske pita hain…

Jitu—apki sakhi ka adbhut roop dekh kar lagta hai jaise ki vo kisi rajya ki rajkumari ho…

Priyamvada—haan, hame bhi aisa hi lagta hai…

Jitu—aisa roop soundarya, apki sakhi ko ek asadharan kanya hone ki oar ingit karta hai...kampti vidhyut kya kabhi sadharan stri ke garbh se bhi janam le sakti hai... ?

Divya laja kar apna sir niche kar leti hai...vahi priyamvada aur anusuiya, divya ke mann ke bhavo ko samajhte huye mand mand mushkurane lagti hain.

Priyamvada (mushkurate huye)—Lagta hai ki aap abhi aur bhi kuch kahna chahte hain.... ?

Divya—(apni tarjani ungli se dhamkate huye dhire se)....Maar Dalungiiii.

Jitu—apka kahna bilkul sahi hai....yeh sundar roop dekh kar apki sakhi ke baare me aur bhi kuch puchne ka mann kar raha hai...

Priyamvada—aap sankoch na kare....tapasviyo se kuch bhi puchne se kisi bhi tarah ke dharm ka ullanghan nahi hota hai..

Jitu—hame puchna yeh hai ki kya kewal kanyadan hone tak hi apki sakhi kaamnao se pare rah kar ashram dharm ka paalan karegi ya phir ajivan apne jaisi ankho wali sundar hirniyo ke sath yaha vichran karti rahegi... ?

Priyamvada—Iss samay to dharmacharan ka ankush iske sir par hai...par kanva rishi ka nishchay yahi hai anukool var milne par iska kanyadan kar denge.

Jitu (mann me)—ai mere dil, ab tu apni abhilasa par niyantran na rakh...tera sandeh door ho gaya.. ! yeh aag nahi jaisi ki tujhe ashanka thi balki yeh to ek sheetal ratna hai jise tu chhu sakta hai.

Divya (jaise kroadh se)—dekh anusuiya main ab yaha se ja rahi hu..

Anusuiya—lekin kyo... ?

Divya—main ja kar iss priyamvada ki maa ko batati hu ki yeh yaha kya kya ulta sidha bak rahi hai..

Anusuiya—na..na..hum ashram vasiyo ke liye yeh uchit nahi ki ek vishesh atithi aaya ho aur hum uska koi satkar kiye bina hi uske paas se uth kar chal de...

Divya, anusuiya ki baat ka bina koi jawab diye hi vaha se uth kar chal deti hai...mera dil usko pakad kar rokna chahta tha kintu phir bhi maine apni mann ki bhavnao par niyantran rakhna hi uchit samjha.

Jitu (mann me)—Yeh to sach much hi jane lagi....sach, ek kamatur vyakti ki cheshthaye bhi uske manobhavo jaisi hi hone lagti hain.

Priyamvada (divya ke paas aa kar)—sun chandi, tu iss tarah se yaha se nahi ja sakti hai…

Divya (ghum kar ankhe dikhate huye)—maar dalungiii.....kyo nahi ja sakti.... ?

Priyamvada (pakad kar rokti huyi)—tere upar mera karz hai, do ped seenchne ka...pahle vo karz utar le...tab jana yaha se...

Jitu—Vah bechari to pahle hi pedo me pani seench seench kar itna thak gayi hai ki ghada uthaye rahne se kandhe jhuke jhuke se aur hatheliya abhi tak lal hain...saanse itni tez hain ki bechari ke stan kaamp kaamp jate hain..muh par pasine ki itni itni jaliya hain ki kano ke phool kundal bhi kumbhala kar jhuk jate hain...aur bandhan khul jane se ek hath me sambhale kesh ..aisi vivashta hai ki sambhal nahi pa rahe hain...isliye uska ye karz main utar deta hu.

Anusuiya—divya ka karz apke in shabdo se hi utar gaya....dekh divya, inhone tujhe karz mukt kar diya hai...ab tu yaha se ja sakti hai.

Divya (mann me)—apne aap par mera vash hota to kya main kabhi yaha se jati... ?

Priyamvada—to ab yaha se ja kyo nahi rahi hai tu... ?

Divya—main teri gulam hu kya... ? jab mera mann hoga tab jaungi…..Maar dalungiii

Jitu (divya ko dekh kar mann me)—kya jaisa main apne dil me jaisa iske liye soch raha hu, kya vaisa hi yeh bhi apne mann me mere liye soch rahi hogi….? Lagta hai ki meri kamna niradhar nahi hai kyon ki…chahe meri baat se haan me haan mila kar baat nahi karti phir bhi mere baat karne par iske kaan issi oar rahte hain…chahe adhik der apna chehra meri oar nahi rakhti, phir bhi dusri kisi taraf bhi jyada der tak yeh nahi dekh pati.

Anusuiya—chal divya, ab ashram me chalte hain…nahi to koi hame dhoondta hua yaha aa jayega…aur aap hame ek bar phir se darshan jarur dijiyega…

Divya—(meri taraf dekh kar theek se nahi chal pane ka abhinay karti huyi)…ohhh maaaa…aaaaa…haaye…kya ho gaya hai…lagta hai ki mere pair me moch aa gayi hai….? Mujhse bilkul bhi chalte nahi ban raha hai…

Jitu—aap log aram se jaye…

Priyamvada—chal divya...mere kandhe par hath rakh le aur chal yaha se...

Divya (natak)—ohh maaa....dekh na anusuiya..lagta hai ki mere pair me koi kaanta ghus gaya hai...thodi der ruk na.. pahle ye kaanta to nikal lu pair se...tab to chalungi na….meri chunri bhi kahi phans gayi hai..

Anusuiya (pair dekhti huyi)—pair me to koi kaanta nahi laga hai..

Priyamvada (mushkura kar)—aur teri chunri to tere gale me hi hai…kahi bhi to nahi phansi hai….

Divya—achcha..! tum dono kahti ho to maan leti hu…theek hai chalo phir…

Phir divya kisi na kisi bahane se baar baar ruk ruk kar meri taraf dekhti huyi anusuiya aur priyamvada ke sath vaha se chali jati hai.

Jitu (lambi saans chhod kar)—to ye chali gayi.. ! ab mujhe bhi chalna chahiye…jab se divya ko dekha hai, yaha se lout kar jane ka mann hi nahi kar raha hai...lekin jana to padega ki, vaha sainik bhi meri chinta me pareshan honge..mann me itni shakti nahi ki divya ko phir se dekhe bina yaha se ja saku…

Jitu—sharir aage ja raha hai kintu mann ki disha piche ki oar hai…maheen resham ki dhwaja jaisa hai yeh mann jisko ki main hawa ki prati kool disha me liye ja raha hu.
 
Well-known member
3,825
7,371
143
SAAJAN
UPDATE- 209
5th Janam Ki Prem Kahani Continues....

Phir divya kisi na kisi bahane se baar baar ruk ruk kar meri taraf dekhti huyi anusuiya aur priyamvada ke sath vaha se chali jati hai.

Jitu (lambi saans chhod kar)—to ye chali gayi.. ! ab mujhe bhi chalna chahiye…jab se divya ko dekha hai, yaha se lout kar jane ka mann hi nahi kar raha hai...lekin jana to padega ki, vaha sainik bhi meri chinta me pareshan honge..mann me itni shakti nahi ki divya ko phir se dekhe bina yaha se ja saku…

Jitu—sharir aage ja raha hai kintu mann ki disha piche ki oar hai…maheen resham ki dhwaja jaisa hai yeh mann jisko ki main hawa ki prati kool disha me liye ja raha hu.

Ab aage……

Jaise hi main ashram se nikal kar apne sainiko ke paas pahucha to vaha kisi ko dekh kar chakit rah gaya… yeh aur koi nahi balki mera bachpan ka brahman mitra ayan hai…jo shayad mujhe khojte huye yaha tak aa pahucha…mujhe dekhte hi vah daud kar mere paas aa kar gale se lag gaya.

Jitu—aryan..! tum yaha…?

Aryan—kyo main yaha nahi aa sakta kya…? Haan bhai ab to tu yuvraj jo ban gaya hai, to mujh jaise daridra brahman ko kyo puchega bhala…?

Jitu—band kar apni ye nautanki….aur ye bata ki tu mere yuvraj banne par samaroh me kyo nahi aaya…kaha marr gaya tha itne din tak….?

Aryan—arey main kyo maru…mare mere dushman….main to abhi tak shadi shuda kuwara hu…

Jitu—kyo tune shadi bhi kar li kya…? Bhabhi kaha hai, milwayega nahi mujhse….?

Aryan—tere liye bhabhi hi to dhoond raha tha itne din tak…

Jitu—to phir milwa jaldi se…

Aryan—kaha se milwau, maine to mann hi mann me usse shadi bhi kar li hai lekin vo jalim hai ki apne sharir par makkhi tak nahi baithne deti....

Jitu—koun hai... ?

Aryan—gaon ke hi brahman ki ladki hai...naam hai sugandha..

Jitu—wah...yaha tak uski sugandh aa rahi hai...kya naam hai sugandha...

Aryan—abe sharam kar tharki kahi ka.....vo teri hone wali bhabhi hai... tu uski sugandh mat le….vo mere liye hai…lekin Sali hath hi nahi lagane deti…

Jitu—to usko ye bata deta ki tu mera dost hai to shayad tera kaam ban jata... ?

Aryan—bataya tha vo bhi…

Jitu—to…?

Aryan—to kya…usne jhadu utha kar ulta meri pitayi kar di…..kahne lagi ki tum dono hi tharki hoge…

Jitu—hahahaha….matlab ki mast bhabhi dhoondi tune mere liye…

Aryan—uss par buri nazar mat daal…aur tu bata ki yaha kya karne aaya hai inn pahadiyo me….?

Jitu—yaar asal baat ye hai ki....(phir maine usko sab kuch bata diya)

Aryan (nihshwas chhod kar)—maar diya iss yuvraj ki dosti ne mujhe……garmi ki bhari dophar, door door tak kahi pedo ki chhaya nahi, aur aise me yah raha hiran, vah raha suwar, vah raha sher…karte huye jungle bhar me ghumta firta raha aur uske baad me piyo sade patto par se ho kar aata kasaila, beswad kadwa garam pani inn pahadi nadiyo ka….khane ko adhiktar jalta jalta maans vah bhi jab mil jaye tab…ghodo ke hinhinane se raat ko bhi theek se need nahi aati thi par itne se hi mera dukh samapt nahi hota….aise me mere jale gaal par ek phoda aur nikal aaya hai….piche rah kar yeh dukh bhog hi raha tha ki durbhagya ki ek aur maar sir par aa padi hai….mere dost ne yaha kisi aashram me ja kar kisi tapaswi kanya divya ko dekh liya hai aur uske prem me bawla ho gaya hai…tumhe kya lagta hai ki kanva rishi uss kanya ka hath tumhe de denge….?

Jitu (apne aap se)—milan sulabh nahi, phir bhi uska bhav dekh kar mann ko aashwasan hai....kamna ki poorti chahe na bhi ho, phir bhi dono oar ki akanksha mann ko santosh to deti hi hai….(mushkura kar)…kamatur vyakti kaise yeh soch kar apne aap ko thagta hai ki uske priy ki manoshthiti theek vaise hi hogi jaisi ki uski kamna hai….sneh bhari ankho se jab usne dusri oar dekha, to vah bhi, apne bhari nitambo ke bhaar se vilash purvak dhire dhire chal kar gayi… aur ‘mat ja’ sakhi ke kahne par usne use daant kar jo masumiyat se uttar diya ‘maar dalungi’ vah bhi lagta hai ki sab kuch mere liye hi tha…..kaisi hai yeh kamna…jo uske har karya ko apne…sirf apne liye hi maan kar chalna chahti hai.

Aryan (khade ho kar)—dekho yuvraj, apna hath to chalta nahi isliye kewal shabdo se hi abhivadan kar raha hu…jai ho apki…

Jitu (haste huye)—kyo, kya hua…tumhare ang kyo jakad gaye….?

Aryan—kaise jakad gaye….? Swayam ankh phod kar puchte ho ki ro kyo rahe ho….?

Jitu—tumhari baat samajh me nahi aayi….jara dusri tarah se samjhao….

Aryan—nadi ke beech me laga ped agar kubda ho kar jhuk jaye to uska karan kya hoga... ? vah swayam ya phir nadi ka veg…?

Jitu—karan to nadi ka veg hi hoga…

Aryan—issi tarah meri iss avastha ke karan tum ho…

Jitu—kaise….?

Aryan—vah aise ki tum to apna raj kaaz aur itna achcha surakshit pradesh chhod kar yaha uss manhoos kali pahadi ki vajah se vanchar ban kar dera jamaye ho….aur to aur uss rishi kanya ke prem me pagal huye ja rahe ho…aur main tumse milne ke chakkar me yaha tak pahuchte pahuchte adhmara ho gaya hu…mujh brahman ki haddiyo ke jod iss kadar hil gaye hain ki ab vo mere chalane se bhi nahi chalte hain….

Jitu—kya karu dost….jab se divya ko dekha hai tab se main khud ko bhi bhul gaya hu….yaha tak ki yaha aane ke asli maqsad ki taraf bhi mera dhyan nahi laga pa raha hu…aisa lagta hai ki iss jungle me rahne wale hirano ne divya ko bhi apni ankho ki sundarta de di hai.

Aryan—agar aisa hai to tumhari dirgh aayu ho…main chala ab sone..

Jitu—pahle meri poori baat to sun le….

Aryan—kya….?

Jitu—tumhe ek karya me meri sahayata karni padegi…

Aryan—kis karya me…? Laddu khane me…?

Jitu—jo bhi karya main kahunga…

Aryan—tum kahi kisi chakkar me mujhe fasane wale to nahi ho na…? dekh main shadi shuda kuwara admi hu…

Jitu—sainik yaha aao…

Tabhi ek sainik andar aa kar yuvraj ko pranam karta hai…uske piche piche vipin bhi aa jata hai…jisko ki aryan bade gaur se dekhta hai.

Vipin—yuvraj, mujhe lagta hai ki jungle me koi jarur khunkhar janwar ho sakta hai..apko vaha ja kar shikar karna chhiye….

Jitu—dekhenge…vaise main ye kah raha tha ki tum log nadi kinaare uss ashram se door hi rahna..vaise to vo bahut hi shant ashram dikhta hai kintu usme kahi nihit hai ek tez jo ki kabhi bhi sulag sakta hai…sheetal hote huye bhi surya kant mani dhoop padne par achanak hi dahak uthti hai.

Aryan—ye chal ab nikal yaha se..bada aaya sujhav dene wala…

Phir shaam ko main aur aryan ghumte huye nadi kinare chale gaye…aur vahi ek chattan par baith kar baate karne lage mera mann ab bhi divya ko phir se dekhne ke liye machal raha tha.

Aryan—yaha kaha ghumne aa gaye yaar hum…? Chalo vapis chalte hain..

Jitu—dost, tumne ankhe hone ka kuch phal nahi paya kyon ki sristi ka sabse apoorva srajan to tumne dekha hi nahi.

Aryan—vah to tum hi ho jo mere samne baithe ho..

Jitu—apne aap ko to sabhi sundar samajhte hain kintu main divya ki baat kar raha hu jo iss ashram ki shobha hai.

Aryan—hogi…tapaswi rishi ki kanya hone se jisko paya nahi ja sakta , usko dekhne se kya laabh…?

Jitu—chhee..murkh..! muh upar ko utha kar apalak ankho se nayi chandra kala ko vishwa bhala kis bhavna se dekhta hai…? Phir mera mann kabhi kisi aisi vastu par nahi aa sakta jisko ki dekhna varjit ho.

Aryan—baat jara khol kar batao…

Jitu—divya kisi aur ki santan hai jiska palan posan kanva rishi ne kiya hai…vah tahni se toota hua nav malika ka vah phool hai jo sanyog se aak ki patti me aa gira hai.

Aryan (haskar)—achcha..achcha….to jaise khajur se agha kar imali khane ko mann hota hai ussi tarah antahpur ki sundariyo ka upbhog karne ke baad ab tumhara iss kanya ke liye mann ho aaya hai..

Jitu—mitra, tumne divya ko abhi dekha nahi hai isliye aisa kah rahe ho…

Aryan—hogi to vah atyant sundar hi jisne tumhe bhi iss tarah se chamatjrit kar diya hai..

Jitu—adhik kya kahu mitra, ek taraf vidhata ki samarthya aur dusri taraf divya ka aloukik soundarya…aisa lagta hai ki soundarya ke sabhi upadano ko mann me la kar roop ke vishesh sanchay se hi vidhata ne iss komlangi divya jaisi kanya ki rachna kar paya hai….tabhi to na aisi, ratna rashi si ek alag hi nari srasti sambhav ho saki hai…

Aryan—iska matlab yah hua ki divya, shesh sabhi sundariyo se badh kar hai..

Jitu—mere mann ki prati kriya to yeh hai ki…

Phool hai vah, Jise kisi ne soongha nahi,

Kopal hai, Jise kisi nakhun ne kabhi chheela nahi,

Aisa ratna hai, Jise kabhi bidha nahi gaya,

Aur shahad hai, Jiska ras kabhi kisi ne chakha nahi,

Na jane, Kiske akhand punyo ka phal hai uska roop,

Aur na jane, sansar me kiska bhagya hoga, jo uska varan kare.

Aryan—tab to jaldi karo, kahi aisa na ho ki vah kisi sarso ke tel se chikne sir wale kisi takle tapaswi ke hath ja pade.

Jitu—vah bechari paradhin hai…aur kanva rishi bhi iss samay yaha nahi hain..

Aryan—achcha yeh to batao ki tumhare prati uska anurag kaisa hai….?

Jitu—mitra, tapaswi kanyaye swabhav se hi bholi hoti hain,..phir bhi mere samne rahte usne meri taraf dekha bhi to kewal halki khuli ankho se,…kintu dusri kisi baat par bina karan anayas hi has di…iss tarah vinay ke aavran me rah kar apni kamna ko usne na to prakat hi kiya aur na hi chhupa saki.

Aryan (haste huye)—to kya dekhte hi tumhari god me aa kar baith jati…?

Jitu—phir bhi sakhiyo ke sath lout kar jate huye usne kayi kayi bahane se apni bhavna ashat prakat kar hi di thi… pag do pag chal kar hi bina karan vah thithak gayi ki uske pair me kaanta lag gaya hai, uska dupatta ped ki shakha me uljha nahi tha phir bhi use chhudati vah meri oar muh kiye kuch pal ruki rahi…

Aryan—kuch ishara to usne tumhe de hi diya…lagta hai ki behad rangeen ashram hai yeh…

Vahi dusri taraf divya vatika se loutne ke baad kahi khoyi huyi thi ki tabhi priyamvada ne aa kar usko awaz di magar uska dhyan to kahi aur hi uljha hua tha…akhir me priyamvada ne uske upar pani daal kar hasne lagi tab ja kar usko kuch hosh aaya…

Divya (naak ke niche ungli ghuma kar masumiyat se )—Maar Dalungi
 
Well-known member
3,825
7,371
143
SAAJAN
UPDATE- 210
5th Janam ki prem kahani...

Jitu—phir bhi sakhiyo ke sath lout kar jate huye usne kayi kayi bahane se apni bhavna ashat prakat kar hi di thi… pag do pag chal kar hi bina karan vah thithak gayi ki uske pair me kaanta lag gaya hai, uska dupatta ped ki shakha me uljha nahi tha phir bhi use chhudati vah meri oar muh kiye kuch pal ruki rahi…

Aryan—kuch ishara to usne tumhe de hi diya…lagta hai ki behad rangeen ashram hai yeh…

Vahi dusri taraf divya vatika se loutne ke baad kahi khoyi huyi thi ki tabhi priyamvada ne aa kar usko awaz di magar uska dhyan to kahi aur hi uljha hua tha…akhir me priyamvada ne uske upar pani daal kar hasne lagi tab ja kar usko kuch hosh aaya…

Divya (naak ke niche ungli ghuma kar masumiyat se )—Maar Dalungi

Ab aage…..

Priyamvada—maar dalna….lekin ye batao ki tumhara dhyan kidhar hai….? Kis ke khyalo me khoyi huyi ho…?

Divya—kahi bhi to nahi…..vaise tune pani kyo dala mere upar….aur kab aayi tu..?

Priyamvada—mujhe to aaye huye aaj unnis baras ho gaye hain…lekin tumhe pata kaise chalega, tum to uss ajnabi ke khyalo me doobi huyi jo ho..?

Divya—maine teri umra nahi puchi hai, samjhi....aur main kisi ajnabi ke baare me nahi soch rahi thi....apne jaisi mujhe bhi samajh liya hai kya... ?

Priyamvada—haaye..ye kah kar tune mera mann halka kar diya..

Divya—kya matlab…?

Priyamvada—mera uss par dil aa gaya hai…kitna sundar au sajila naujawan mard hai…main kal hi usse apne dil ki baat kah dungi.. balki main to usko apna ye dil hi usko khol kar dikha dungi..

Divya (gussa hote huye)—tu aisa kuch bhi nahi karegi..samajh gayi..

Priyamvada—kyo nahi kar sakti..? main to aisa hi karungi…balki maine to soch liya hai ab ki kal hi usko apna ye youvan soump dungi….jisse vo sirf mera ho jaye…

Divya (gusse me naak ke niche ungli ghuma kar)—maar dalungi ….agar tumne kuch aisa kiya bhi to..

Priyamvada—ab tumhe isme kya pareshani hai…? Tumhe to vah pasand hi nahi hai na…?

Divya (gussa dikhate huye)—dekh priyamvada, main na iss vishay me tumse koi baat hi nahi karna chahti..

Priyamvada—mat kar…main to ja rahi hu usse milne…abhi kuch der pahle hi maine usko vatika me ghumte dekha hai..isliye to maa se tumhare paas aane ka bahana kar ke yaha aa gayi…ab main chali usse milne…

Divya (tension me)—chali jana, main nahi rokungi tujhe…..main thoda pani le aau tab tak tu yaha baith…

Priyamvada—jaldi aana..

Divya—bas abhi aayi...

Divya vaha se nikal kar sarpat vatika ki taraf daud laga di...uss bechari ko kya malum tha ki priyamvada ne to usse jhuth hi kaha tha...vah to sirf divya ke maze le rahi thi...lekin divya ne uski baato ko sach samajh kar pareshan hote huye pani ka bahana kar vatika me aa gayi.

Jaldi jaldi chalne se uski saanse bhi bhari ho gayi thi...lekin use inn sab ki kaha parwah thi... ? vah to khud hi uss ajnabi urf jitu se milne ke liye vyakul thi aur uske hi baare me soch rahi thi...

Vatika pahuch kar vah har taraf jitu ko dekhne lagi magar vo hota vaha tab to dikhayi deta usko...kafi der tak dekhne ke baad divya nirash ho kar vapis dhire kadmo se lout aayi...priyamvada tab tak vaha se ja chuki thi...gusse me vah sidhe uski kutiya me chali gayi...jaha uski mulaqat uski maa se huyi.

P’ maa—aao divya beti... ?

Divya (gusse me)—chachi, priyamvada kaha hai…?

P’maa—kya baat hai..usne aaj phir tumhe pareshan kiya kya... ?

Divya—aap bas itna bata do ki vah kaha hai... ?

P’maa—vo to tumse hi milne gayi thi...baitho aati hogi...

Divya paas me rakhe bistar par baith gayi…ek to jitu se na mil pane ki vajah se uska dil vaise hi vyakul tha dusra priyamvada ke jhuth se uske mann me priyamvada ke liye gussa umad raha tha.

Divya (naak ke niche ungli ghuma kar, mann me)—aane do usko aaj….maar dalungi..

Idhar main apne dost aryan ke sath nadi kinare baith kar divya ke vishay me hi baate kar raha tha…mera mann me usse milne ke liye adhir aur vyakul ho raha tha…kuch der baithne ke baad hum dono vapis apne shiwir me lout aaye.

Aryan—tumne kaha ki iss ashram ke andar kayi rishi muniyo ke pariwar rahte hain…vaha jungle bhi hai..vatika bhi hai…lekin ye kaise sambhav hai…? Ye ashram se dekho bahut hi chhota dikhta hai…mere khyal se iss ashram me ek admi ke rahne layak bhi paryapt jagah nahi hogi…?

Jitu—main bhi iss baat se hairan hu dost…ye ashram bahar se bahut chhota dikhayi deta hai kintu vastav me aisa hai nahi… bahut hi bada koi rahasya chhupa hua hai iss ashram me…jise shayad sirf kanva rishi hi jante honge..

Aryan—pata nahi..lekin mujhe to ab bhi vishwash nahi hota..

Jitu—aryan, tumhe ashram ke andar jane par hi vishwash ayega….kuch bahana soch jisse ki ashram me jaya ja sake..

Aryan—tum yuvraj ho, bhala tumhe ashram me jane ke liye kya bahana chahiye…?

Jitu—yuvraj hone se kya hota hai…?

Aryan—ashram me ja kar unn tapaswiyo se kaho ki vah tumhe apni fasal ka chhatha bhaag de..

Jitu—aryan tum na pagal ho…rishi muni mujhe fasal ka ek aur hi chhatha bhaag dete hain kar ke roop me, jiska mulya heere jawahraat se bhi badh kar hai.

Aryan—vo kaise.... ?

Jitu—dekho aryan, chaar varno ke log raja ko jo kar dete hain, vah nashwar hai….kewal tapaswi hi use apne tap ka chhathe bhaag ke roop me anashwar kar diya karte hain.

Aryan—wah.. ! tab to tumhari manokamna poori ho gayi.

Main abhi aryan se aage kuch puchta ki tabhi ek sainik andar aa kar jhuk ke mujhe pranam kiya…to maine uska abhivadan swikar karte huye uske andar aane ki vajah puchi.

Jitu—kaho sainik…kya baat hai…?

Sainik—yuvraj ki jai ho…do sadhu aapse milne aaye hain..

Jitu—sadhu..! theek hai unhe aadar sahit andar le aao..

Sainik—jaisi apki aagya.yuvraj.

Sainik vaha se chala gaya aur kuch samay pashchat phir se unn do sadhuo ke sath andar aaya...maine apne aasan se uth kar dono sadhuo ko pranam kiya aur unhe aasan par bithaya.

Ek sadhu—yuvraj, tumhara sharir itna diptimaan hai phir bhi isme kitni vishwashniyta hai...ya phir rishi tulya yuvraj ke yah anurup hi hai.

Jitu—yah to apka badappan hai munivar..

Dusra sadhu—rishi hi hai yah bhi..kewal iske naam ke sath yuvraj shabd atirikt juda hua hai….sarv bhogya ashram me iska bhi avaas hai…raksha yog se pratidin tap ka sanchay yah bhi karta hai aur iss sanyami ke adhisthan me bhi chaarno ke dwandwa geet akash ki simao ko chhute hain.

Pahla sadhu—to iska matlab ki yahi hai saajan…?

Dusra sadhu—haan, yahi hai saajan.

Pahla sadhu—tab to nishchit hi main bhi aaj dhanya hua saajan aap ke darshano se…devtao ko asuro ke sath yuddh me kewal do par hi bharosa rahta hai..ek to indra ke vajra ka aur dusre saajan ke khiche huye dhanush ka…

Dusra sadhu—tumhari hamesha vijay ho, saajan.

Main unn sadhuo ke shree mukh se apne liye saajan shabd ka sambodhan sunkar chounk gaya….sath me aryan bhi hairan hua mere liye saajan shabd ke sambodhan se…

Jitu (chounk kar, mann me)—ye log mujhe saajan kyo kah rahe hain…? Vo sapne me aane wali sundar ladki bhi mujhe saajan kahti hai….koun hai ye saajan…? Uska mujhse kya sambandh hai…? Kyo na inn sadhuo se hi puch liya jaye…? Haan, yahi theek rahega.

Jitu—mera naam to jitendra singh hai..jise log prem se jitu kahte hain…phir aapne mujhe saajan kyo kaha…?
 
Well-known member
3,825
7,371
143
SAAJAN
UPDATE- 211
5th Janam Ki Prem Kahani Continues.....

Dusra sadhu—tumhari hamesha vijay ho, saajan.

Main unn sadhuo ke shree mukh se apne liye saajan shabd ka sambodhan sunkar chounk gaya….sath me aryan bhi hairan hua mere liye saajan shabd ke sambodhan se…

Jitu (chounk kar, mann me)—ye log mujhe saajan kyo kah rahe hain…? Vo sapne me aane wali sundar ladki bhi mujhe saajan kahti hai….koun hai ye saajan…? Uska mujhse kya sambandh hai…? Kyo na inn sadhuo se hi puch liya jaye…? Haan, yahi theek rahega.

Jitu—mera naam to jitendra singh hai..jise log prem se jitu kahte hain…phir aapne mujhe saajan kyo kaha…?

Ab aage……

Pahla sadhu—Ye sach hai ki tumhara naam Jitendra singh hai…kintu ye to tumhare iss vartman janam ka naam hai..tumhari asli pahchan to kuch aur hi hai….jise sab saajan ke naam se jante hain….

Jitu (hairan)—kintu…main to kisi saajan ko nahi janta sadhu maharaj…

Pahla sadhu—samay aane par khud hi jaan jaoge vats….tum abhi apni vastavik pahchan se anabhigya ho….jab tumhe apni pahchan malum ho jayegi tab tumhare netro ke samne pada hua iss rahasya ka parda bhi uth jayega.

Dusra sadhu—abhi hum tumhare sammukh kisi anya vishesh uddeshya se aaye hain aur kadachit tumhare agle lakshya ka marg bhi vahi se prashast hone ki ummid hai…

Jitu—main kuch samjha nahi sadhu maharaj…kripya mujhe apne aane ka uddeshya batane ki kripa kare…main apni yatha shakti poora prayatna karunga jisse apke yaha aane ka manorath siddh ho sake.

Pahla sadhu—Yuvraj, kanva rishi ke yaha na hone par aaj kal kuch rakshas hamare yagya me vighna daal rahe hain jisse koi bhi dharmik anusthan sampann nahi ho pa raha hai….atah hum aapse yahi nivedan karne aaye hain ki aap kuch din aashram me hi rah kar hamare yagya ki unn durachariyo se raksha kare….

Jitu—aapke kisi bhi kaam aana, ye mere saubhagya ki baat hai kintu munivar mere aisa karne se kayi log mujhe pahchan jayenge aur mere yaha chhadm roop me aane ka asal uddeshya nirarthak ho sakta hai…

Dusra sadhu—yuvraj, apko sirf vahi pahchan sakta hai jiske andar tapobal ki shakti ho….aap nishchint rahe..jab tak aap khud nahi chahenge tab tak koi apko nahi pahchan payega.

Aryan (kaan me)—itna nakhre kyo kar raha hai…? Bhul gaya kya ki teri vo divya bhi to vahi rahti hai…ab raat din uske sath nain matakka khelna….ho sakta hai ki yagya ki raksha ke bahane tera kaam bhi safal ho jaye….? Tum aashram ke andar jane ka bahana khoj rahe the na to dekho Inhone gale par hath rakh kar jaise tumhari manokamna hi poori kar di…

Jitu (mushkura kar)—tum thodi der chup nahi baith sakte…

Jitu—theek hai munivar….main aapke dharmik anusthan ki raksha ke liye avashya aashram chalunga aur apko ye vishwash dilata hu ki mere sharir me jab tak pran hain, tab tak koi bhi buri se buri shakti bhi aap ke yagya me badha uttapann nahi kar sakti..

Pahla sadhu—hame aapse aise hi uttar ki aasha thi yuvraj….kripaya hamare sath chalne ka anugrah kare…

Jitu—jaisi apki agya munivar…

Aryan—main bhi chalunga...yuvraj ne uss aashram ke vishay me jo bataya hai main bhi dekhna chahta hu...

Dusra sadhu—kintu aap vaha nahi ja sakte...vo kshetra tilism dwara rakshit hai..

Jitu—he munivar...ye aashram bahar se jaisa dikhayi deta hai, andar to bilkul uske vipareet hai...kya hai iska rahasya... ?

Pahla sadhu—iss aashram ko charo taraf se kanva rishi ne ek gahre tilism se baandh rakha hai….jiske kaaran bahar se dekhne par iss aashram ka ek chhota sa hissa hi dikhayi deta hai…baki adrishya rahta hai….iss aashram me rahne wale hi kewal usme aa ja sakte hain anya koi bhi nahi...agar anya kisi ne uss ashram me pravesh karne ki chesta bhi ki to vah turant hi aashram ke charo oar rachit tilism ke mayajaal me phans jayega aur phir vaha se bahar nahi nikal sakta…

Jitu—to phir main kaise vaha ja sakunga…? Main bhi to aashram ke bahar ka hi hu aur mera uss ashramvasiyo se koi sambandh nahi hai…

Dusra sadhu—aap to vaha ja chuke hain yuvraj……aap aashram me kaise pahuch gaye….iske piche kya rahasya hai, ye to sirf kanva rishi hi jante hain…..

Pahla sadhu—kadachit kisi na kisi aashram vasi se aapka gahra rishta bhi ho sakta hai….jiski vajah se aashram ke tilism ne apko andar sakushal jane diya…..ye to hamara durbhagya hai ki aap ke paavan charan hamare aashram me pade kintu hum aap ka yathochit satkaar nahi kar sake,…saajan

Aryan—Jab aashram me koi nahi pravesh kar sakta to vah rakshas vaha kaise pahuch jate hain…..?

Dusra sadhu—Vo rakshas, ashram me tilism baandhne ke pahle se hi apna roop badal kar rah rahe hain…kanva rishi ne apne tapobal se unhe bahar nikal diya tha…kintu phir bhi unme se kuch rakshas roop badal kar andar ghus aaye the aur vahi chhadm bhesh me rahne lage…baad me kanva rishi ne tilism ki rachna ki…ab vo rakshas aashram me utpaat macha rahe hain.

Pahla sadhu—Yuvran, apne poorvajo ki parampara me apka yeh vyavhar shastra sangat hi hai kyon ki jo vipatti me ho use abhay daan dene me hi gaurav sada se hi dikshit hai.

Jitu—aapke iss adesh se main anugrahit hua sadhu maharaj..

Aryan (dhire se)—lagta hai ki tumhe divya ko dekhne ki kuch jyada hi utsukta hai…yaar, mujhe bhi apne sath le chal…main tumhari vaha rakshaso se raksha karunga jab tak ki koi aa kar mujhe vaha se bhaga nahi deta.

Jitu (dhire se)—pahle to isme koi badha nahi thi kintu ab rakshaso ka sun kar divya se milne me adchan aa sakti hai.

Main jane ke liye utha hi tha ki tabhi ek sainik apne sath kisi ko le kar andar pravesh kiya aur jhuk kar naman karne ke pashchat ek taraf khada ho gaya.

Jitu—kaho sainik, kya baat hai…?

Pahla sainik—yuvraj, ye rajdhani se maharani ka aapke liye kuch sandesh laya hai aur aapse bhent karna chahta tha..isliye main sidhe hi andar le aaya.

Jitu (khush)—kya kaha..maa ka sandesh..! kaho sainik kya sandesh bheja hai meri mata shri ne….?

Dusra sainik—yuvraj maharani ne aapke liye ye patra bheja jai…

Maine uske hath se maa ka bheja patra le kar sarv pratham uss patra ko apne shish se laga kar pranam kiya…aur phir dusre kaksh me aa kar uss patra ko khol kar apni maa deepmala ka sandesh padhne laga.
“Putra, ayushman bhav…tumhe meri bhi umra lag jaye…. Ek maa apne jigar ke tukde ko dekhne ke liye atyant vyakul hai..tumhare bina mujhe rajmahal ka chhappan bhog bhi halahal vish ke samaan prateet hota hai…ye makhamali bistar, bhisan jahreele naago ki bhanti mujhe raat din daste rahte hain main ye janti hu ki mera putra apni janta ke kalyan ke liye hi uss bhayanak jagah par gaya hai..ye baat ek maharani to samajh sakti hai kintu ek maa ka hriday inn sab baato se nahi bahal sakta. Jab se maine uss kali pahadi ke baare me suna hai tab se mera dil chinta se baitha ja raha hai…vo jagah bahut hi manhoos hai uss pahadi ne na jane ab tak kitno ko apna graas bana chuki hai…mujhe maharani ka ye pad tyagna manzur hai kintu apne putra ko khona kadaapi manjur nahi hai…ab lout aao putra..meri ye ankhe tumhe dekhne ke liye pal pal taras rahi hain….

Vaise bhi aaj se teen din baad putra pind paalan upvaas hai..jisme tumhara upasthit rahna anivarya hai..sath me tumhe dekh kar mere hriday ko bhi santosh mil jayega.

Main tumhare aane ki pratiksha karungi mere putra ..”

Maa ka patra padhte padhte mere nayano me bhi jal bhar aaya tha….ye main bhali bhanti janta tha ki maa mere bagair ek pal bhi nahi rah pati, vo mujhe behad sneh karti hain.

Aryan—kya sandesha bheja hai maharani maa ne... ?

Jitu—maa ne mujhe mahal vapis bulaya hai...meri samajh me nahi aa raha ki kya karu... ? idhar inn tapasviyo ka adesh aur udhar maa ki aagya....ullanghan dono me se kisi ka bhi nahi kiya ja sakta....aise me kya karna uchit hoga, samajh me nahi aata.. ?

Aryan—Trishanku ki tarah beech me hi latke rahna, bas...hihihihi

Jitu—sach, mann me vyakulta bhar gayi hai…dono alag alag sthano par hain isliye mera mann bhi ussi tarah se bant gaya hai jaise ki kisi nadi ka pravaah kisi chattan se takra kar do bhago me bant jata hai….(kuch sochne ke baad)—aryan, maa tumhe bhi putra ki tarah hi manti hai…isliye meri jagah tum lout kar chale jao…maa se kah dena ki mujhe tapasviyo ke kaam se yaha rukna pad gaya hai..putra ke roop me jo bhi anusthan karna hai vah tumhi kar dena.

Aryan—dekho, kahi tum ye mat samajhna ki main rakshaso se darta hu..

Jitu (mushkura kar)—maha brahman..! tumhare baare me aisa koi soch bhi kaise sakta hai…?

Aryan—jana hai to main yuvraj ke chote bhai ki tarah jana chahunga..

Jitu—tapovan ke karya me badha na pade isliye apne sath aaye sainiko ko bhi tumhare sath bhej raha hu..

Aryan—tab to main bhi yuvraj hi ban gaya…

Jitu—(mann me)..yah brahman bahut hi chanchal hai…kahi ye vaha ja kar maa se mere aur divya ke baare me na bata de..? isko kuch bahane se hi samjhana padega.

Jitu—dekh aryan, main yaha rishi muniyo ke yagya ki raksha ke liye aashram me ruk raha hu...uss rishi kanya divya ke liye nahi... samajh gaya..kaha hum aur kaha vah bala...jo hirniyo ke sath pali hai..prem kya hai, iska to use tanik bhi abhaas nahi hai...vah to hasi ki baat thi mitra, jo maine tumse yu hi kahi thi...kahi tum use sach na maan lena..

Aryan (mushkura kar)—Yuvraj, agar tum aisa kahte ho to, yahi theek hoga...

Jitu—to mitra, tum mahal jane ki taiyari karo, main aashram jata hu…

Aryan (mushkurate huye mann me)—mujhe nira hi murkh samajhta hai..kya main tere dil ki baat nahi samajhta…?

Maine sainiko ko kuch avashyak nirdesh de kar aur aryan ko samjha bujha kar dono sadhu ke sath aashram ke liye prasthan kar gaya….mere mann me divya ko dekhne ki abhilasa prabal hoti ja rahi thi.

Main ashram ke andar pahle sadhu ki kutiya me jaise hi pahucha to meri mulaqat vaha anusuiya se ho gayi…mujhe iss samay vaha dekhte hi vah chounk gayi…mujhe baad me pata chala ki vah uss pahle sadhu ki hi putri hai.

Pahla sadhu—beti anusuiya, tum hamare vishesh atithi ke liye kuch jal paan ka prabandh karo..jab tak main snan karne ja raha hu…saajan aap yaha araam se baith kar jalpan ka anand lijiye…

Jitu—jo aagya…

Meri ankhe to divya ke deedar karne ke liye aatur ho rahi thi…Anusuiya ke pita ke jate hi maine anusuiya ko ishare se apne paas bulaya jo ki abhi tak hairan ho ke mujhe dekhe hi ja rahi thi.

Jitu—suniye, apki sakhi kaha rahti hai…?

Anusuiya (mushkura kar)—lagta hai ki aag dono taraf barabar lagi hai…

Jitu—jiii, kya matlab….?

Anusuiya—Divya ki kutiya bhi yahi paas me hi hai…aap rukiye main abhi aati hu…

Ye kah kar vah mushkurate huye mere samne kuch phal khane ke liye rakh kar kutiya se bahar nikal gayi…divya ke yaha gayi to vah vaha nahi mili tab priyamvada ke yaha chali gayi jaha divya gusse me muh fulaye baithi huyi thi..aur priyamvada ke aane ka intazar kar rahi thi.

Divya (gusse se mann me)—aane do iss priyamvada ko, Maar Dalungi…

Anusuiya (divya ko dekh)—divya ..tum yaha baithi ho ..maine tumhe kaha kaha nahi dhoonda…..?

Divya (muh fulaye)—kya kaam hai…?

Anusuiya (kaan me)—tera vo ajnabi ayaya hai…tujhse milne aur tujhe dekhne ke liye vyakul hai…

Divya (naraz ho kar)—achcha to priyamvada ne ab tujhe padha likha kar bheja hai…ruk…(naak ke niche ungli ghuma kar)..tujhe bhi..Maar Dalungii..

Divya uth kar anusuiya ko maarne ke liye uske piche daud padi…lekin daudte huye anusuiya ne kuch aisa kaha ki jise sunte hi divya ke pair vahi ruk gaye…

Anusuiya (bhagte huye)—arey mere piche danda le kar kyo padi hai sakhi..? maine to sach hi kaha hai…vo ajnabi meri kutiya me iss samay baitha hai…pita ji usko saajan ke naam se sambodhit kar rahe the…

Anusuiya ke muh se saajan shabd sunte hi uske kadam yakayak apni jagah par ruk gaye….aur dil me ek tez bechaini si uthne lagi use aisa laga jaise ki ye naam uska suna hua hai aur vo saajan ko bahut achchi tarah se janti hai..kintu use kuch bhi yaad nahi aa raha tha ki kaise vo saajan ko janti hai….?

Divya (ruk kar)—saajannn……saajannn…saajannn..(mann me)..achanak mera dil itni tezi se kyo dhadakne laga hai..saajan ka naam sunte hi…mujhe itni adhik bechaini kyo ho rahi hai saajan ko dekhne ki..uske gale lagne ki…?

Phir na jane kya hua ki divya danda phenk kar paglo ke jaisi daud laga di anusuiya ki kutiya ki taraf…uski ankho se anjane me hi aviral jal dhara pravahit hone lagi thi…badhawashi me bhagte huye vah jaise hi aunsuiya ki kutiya me pahuchi...

Divya (naak ke niche ungli phirate huye masumiyat se)--Maar Dalungi..!
 
Well-known member
3,825
7,371
143
SAAJAN
UPDATE- 212
5th Janam Ki Love Story Continues....

Anusuiya ke muh se saajan shabd sunte hi uske kadam yakayak apni jagah par ruk gaye….aur dil me ek tez bechaini si uthne lagi use aisa laga jaise ki ye naam uska suna hua hai aur vo saajan ko bahut achchi tarah se janti hai..kintu use kuch bhi yaad nahi aa raha tha ki kaise vo saajan ko janti hai….?

Divya (ruk kar)—saajannn……saajannn…saajannn..(mann me)..achanak mera dil itni tezi se kyo dhadakne laga hai..saajan ka naam sunte hi…mujhe itni adhik bechaini kyo ho rahi hai saajan ko dekhne ki..uske gale lagne ki…?

Phir na jane kya hua ki divya danda phenk kar paglo ke jaisi daud laga di anusuiya ki kutiya ki taraf…uski ankho se anjane me hi aviral jal dhara pravahit hone lagi thi…badhawashi me bhagte huye vah jaise hi aunsuiya ki kutiya me pahuchi...

Divya (naak ke niche ungli phirate huye masumiyat se)—Maar Dalungi..!

Ab aage…..

Ye shabd kano me sunayi dete hi jaise mere soone mann ki phulwari me basant ki bahaar hi aa gayi…main turant khada ho kar darwaje ki taraf palat gaya…jaha divya khadi mujhe apalak nihare ja rahi thi…hamari nazare jaise hi aapas me takrayi to dono ki haalat lohe aur chumbak ki bhanti ho gayi.

Jis tarah se chumbak lohe ko apni taraf aakarsit kar leta hai aur loha khud ko uss aakarsan se bandha hua uski oar khicha chala jata hai..vahi haalat meri bhi thi…main divya ki mrig nayani jaisi jheel si ankho me khota chala gaya….divya ki saanse tezi se upar niche ho rahi thi…kintu use iss baat ka hosh hi kaha tha….dil jor jor se dhadke ja raha tha…bas yahi dil me chah thi ki kaash ye pal yahi thahar jaye aur hum dono aise hi ek dusre ko dekhte rahe…divya ko dekh kar mere bechain dil ko karaar aa gaya.
“Ankho Se Ankho Ka, Mel Jab Hota Hai,
Dil Mein Ek Chahat Si Jaag Uthati Hai,
Raat Ko Sapno Mein Uska Chehra Hota Hai,
Zindagi Bhi Khubsurat Afsana Lagti Hai.”

Piche piche anusuiya bhi aa gayi aur hum dono ko iss tarah ek duje me khoye huye dekh kar vah mand mand mushkurane lagi… tabhi usne mazak me divya ke kaan ke paas apna muh le gayi.​

Anusuiya (kaan me)—sakhi, lagta hai ki aag dono taraf bahut joro ki lagi huyi hai....agar tu kahe to aaj raat me hi teri suhagrat ka prabandh bhi main kar du... ?

Divya (chounk kar)—Maar Dalungi..

Anusuiya—hihihi….mujhe kyo maa dalegi….?

Jitu—divya…aao baitho na…

Divya (sharmate huye)—nahi..vo…vo mujhe jana hai….main to….anusuiya se milne aayi thi……

Anusuiya (mushkurate huye)—mujhse milne aayi hai…? Lekin main to yahi hu….magar teri nazar to kuch aur hi kah rahi hai…?

Divya (laaz se)—aisa kuch nahi hai…apni jaisi mujhe bhi mat samajh....

Anusuiya (dhire se kaan me)—aaye..haaye....to abhi kya kar rahi thi... ?

Divya (muh phula kar)—main ja rahi hu...tujhse ab kabhi baat hi nahi karungi...katti..

Anusuiya (kaan me)—hihihihihi....jate jate ye to bata de ki aaj raat ka kar du intazam..... ?

Divya (gussa dikhati huyi)—Maar Dalungi... !

Anusuiya—hihihihi....kise maar dalegi...hamare mehman ko... ?

Divya (gussa)—tujhe..... Maar Dalungi...

Anusuiya (haste huye)—hihihihi...tu baith to sahi..phir chala jana…main abhi aayi…

Anusuiya dusre kaksh me chali gayi…shayad uski maa ne bulaya tha…divya phir se chor nazaro se meri taraf dekhne lagi aur main bhi usko hi dekhne me magn ho gaya…divya kabhi mujhe dekhti to kabhi niche dekhne lagti apne dono pair ke angutho ko aapas me ghiste huye.

Jitu—divya, baitho na…

Divya (dhire se)—nahii..vo mujhe jana hai..

Jitu—kya kah rahi thi tumhari sakhi anusuiya... ?

Divya—vo..vo pagal hai..kuch bhi bolti rahti hai...ye aur priyamvada dono hi mujhe pareshan karti rahti hain jab dekho...

Jitu—achcha..divya..pushp vatika me milogi raat ko mujhse... ?

Divya (niche dekhte huye, dhire se)—raat me..lekin kyo.... ? main nahi aa sakti..

Jitu—main dekhna chahta hu ki upar neele aas maan me chamakne wala chaand jyada khubsurat hai ya phir ye dharti ka chaand..... ? main tumhara intazar karunga...

Divya (sharma kar)—main chalti hu...

Anusuiya (vaha aate huye)—arey ruk meri banno kaha chali…(kaan me)—ho gayi raat me milne ki baat…?

Divya (naak ke niche ungli ghuma kar)—maar dalungi..

Tabhi vaha anusuiya ke pita aa gaye aur divya vaha se bhag gayi..lekin jte jate bhi vah baar baar piche palat ke dekhti jati thi.. main usko jate huye tab tak dekhta raha jab tak ki vah meri ankho se ojhal nahi ho gayi…phir unn rishivar se vartalap me vyast ho gaya.

Pahla sadhu (vivan)—putri..inko kuch jalpan diya ki nahi…?

Anusuiya—ji pita ji,

Jitu—rishivar, apka yagya anusthan kab hone wala hai…?

Vivan—kal brahma muhurt me shubharambh hoga yagya kriya..

Jitu—theek hai rishivar…kintu ek baat samajh me nahi aayi ki aap apne tapobal dwara arjit shakti se inn dust rakshaso ka ant bhi to kar sakte the…?

Vivan—nahi yuvraj..jab koi dharmik yagya anusthan aadi karne ka sankalp le leta hai to usko uss kriya ke samapti tak kaam, kroadh, lobh aur moh inn sabhi ka tyag karna hota hai…ye yagya sabhi praniyo ke kalyan ke liye kiye jate hain..iss dauran kisi bhi prakar ki jeev hatya unke liye varjit hai…aur vaise bhi raksha karne ki jimmedari uss rajya ke raja aur unke prati nidhiyo ki hoti hai….yeh karya unhe hi shobha deta hai…dusra vo rakshas atyant shaktishali aur mayavi vidya me prabal nipun hain..unka ant karna hamare vash ki baat bhi nahi hai…agar kanva rishi yaha hote to vo avashya hi unka ant karne me saksham the..unke alawa sirf aap hi unka vadh kar sakte hain yuvraj.

Jitu—ye to mera ahobhagya hai jo mujhe aapki seva karne ka saubhagya prapt hua…

Anusuiya—pita shri, aap inhe yuvraj kyo kah rahe hain…? Ye kis desh ke yuvraj hain…?

Vivan—putri, ye hamare rajya ke yuvraj Jitendra hain…

Anusuiya (chounk kar)—kyaaaaa....ye yuvraj jitu hain... ?

Vivan (mushkura kar)—haan putri..ye hi hamare yuvraj jitu hain.

Anusuiya (confuse)—lekin aap to kuch samay pahle inhe saajan ke naam se sambhodhit kar rahe the... ?

Vivan—vo isliye putri kyon ki saajan bhi inka hi naam hai kintu yuvraj khud bhi nahi jante ki unka ek naam aur bhi hai jise sab saajan ke naam se jante hain.

Anusuiya (mann me)—pita ji ki baato ne to mera dimag hi ghuma diya…aisa kaise ho sakta hai ki kisi ko apna naam hi pata na ho..?

Vivan—kya hua..ab kya sochne lagi putri…?

Anusuiya—na..nahii..kuch nahi...

Phir pata nahi ki anusuiya ko achanak kya hua...usne ek baar mushkura kar meri taraf dekha aur phir jane mann hi mann kya soch kar sharmate huye andar bhag gayi.

Main kuch samajh nahi paya ki isko kya ho gaya achanak... ? kuch samay tak mere aur vivan rishi ke beech yagya ki suraksha ko le kar baat hoti rahi…tatpashchat bhojan karne baith gaya unke sath…bhojan ke uparant vivan rishi vishram karne lage aur main divya ke baare me sochte huye let gaya.

Kintu neend to meri ankho se bahut door thi...dil me divya se milne ki tadap phir se balwati hone lag gayi thi..Jab mujhe ehsaas hua ki sabhi gahan nidra me chale gaye hain to main chupke se uth kar pushp vatika ki taraf chala gaya.

Udhar anusuiya ki kutiya se aane ke pashchat yahi haal divya ka bhi tha...bistar me lete huye vah yahi soch me doobi huyi thi ki pushp vatika me itne samay mujhse milne jaye ki nahi jaye... ?

Divya (mann me)—kya karu..jaoon ya nahi... ? vo mera intzar kar rahe honge…agar nahi gayi to unko kitna bura lagega..lekin main to abhi janti bhi nahi phir kyo mera dil unse milne ke liye, unke seene se lagne ke liye tadap raha hai... ? kyo saajan ka naam sunte hi mere dil me bechaini hone lagti hai... ? aur phir aaj kal yaha rakshas bhi to ghumte rahte hain...unn rakshaso ki buri nazar pahle se hi mujh par hai...isliye hi to pita ji ne mujhe andhera hone ke baad bahar kahi jane ko mana kiya hua hai... agar koi rakshas mujhe mil gaya to... ?..(naak ke niche ungli phirate huye)..mil gaya to... ? maar dalungi..

Kintu dil tha ki kuch tark sunne ko taiyar hi nahi tha..antatah dil ke hatho vivash ho kar vah chupchap apne bistar se uthi aur pushp vatika ki taraf chal padi.

Main vatika me divya ki pratiksha karne laga...divya ko abhi tak aate na dekh kar mann me kayi vichar uttapann hone lage kintu dil hai ki manta nahi akhir dil, dil hi to hai..jis par aa gaya to phir uske siwa na to use kuch dikhayi deta hai aur na hi kuch sunayi deta hai.

Jitu (mann me)—divya abhi tak aayi kyo nahi... ? kahi vah so to nahi gayi hogi... ? ya phir vah mujhse pahle hi yaha aayi ho aur mujhe vatika me na pa kar nirash ho ke yaha se chali gayi ho... ? usko dekhe bina meri ye raat kaise gujregi... ? kahi usne raat me yaha milne ke liye bulane par mere baare me apne mann me kuch galat to nahi soch liya... ? ajib hai ye ishq bhi..
"Kisi Ko Ishq Ki Achchhayi Ne Maar Dala,
Kisi Ko Ishq Ki Gaharayi Ne Maar Dala,
Kar Ke Ishq Koi Na Bach Saka,
Jo Bach Gaya Use Tanhayi Ne Maar Dala.”​
Ye sab tarah tarah ki baate sochte huye mera mann divya ki ek jhalak paane ke liye atyant vyakul hota ja raha tha...vatika me charo taraf chaandni raat ki madhyam sheetal roshni phaili huyi thi...mera mann adhir hota ja raha tha aur tabhi mujhe uss chandni raat ki roshni me kisi ki parchhayi apni oar badhti nazar aayi.
 
Well-known member
3,825
7,371
143
SAAJAN
UPDATE- 213
5th Janam Ki Love Story Continues....

Jitu (mann me)—divya abhi tak aayi kyo nahi... ? kahi vah so to nahi gayi hogi... ? ya phir vah mujhse pahle hi yaha aayi ho aur mujhe vatika me na pa kar nirash ho ke yaha se chali gayi ho... ? usko dekhe bina meri ye raat kaise gujregi... ? kahi usne raat me yaha milne ke liye bulane par mere baare me apne mann me kuch galat to nahi soch liya... ? ajib hai ye ishq bhi..

"Kisi Ko Ishq Ki Achchhayi Ne Maar Dala,
Kisi Ko Ishq Ki Gaharayi Ne Maar Dala,
Kar Ke Ishq Koi Na Bach Saka,
Jo Bach Gaya Use Tanhayi Ne Maar Dala.”​
Ye sab tarah tarah ki baate sochte huye mera mann divya ki ek jhalak paane ke liye atyant vyakul hota ja raha tha...vatika me charo taraf chaandni raat ki madhyam sheetal roshni phaili huyi thi...mera mann adhir hota ja raha tha aur tabhi mujhe uss chandni raat ki roshni me kisi ki parchhayi apni oar badhti nazar aayi.

Ab aage…..

Uss parchhayi ko apne karib aate dekh kar ek bar phir se meri dhadkane tez ho gayi aur mann me ek darr ye bhi tha ki kahi koi aur na ho, kintu jaise hi vo parchhayi mere bilkul nazdik aa gayi to mera dil khushi se jhum utha kyon ki ye mere dil ki dhadkan divya hi thi.

Divya mere pass aa kar ek bar nazare ghuma ke apne charo taraf dekha ki koi idhar hai to nahi, jab usko santosh ho gaya ki yaha hum dono ke atirikt aur koi nahi hai to vah sir jhuka ke khadi ho gayi….aur main divya ke khubsurat chehre ko dekhne me hi kho gaya.

Divya ne apni nazar upar uthayi to mujhe apni taraf ektak taktaki lagyaye dekhte dekh kar sharam se apni nigahe phir se jhuka li kintu haal to uske dil ka bhi mujhse alag nahi tha…vah chah kar bhi apni nazar jyada der tak niche nahi kar pa rahi thi..mujhe dekhti aur phir jhuka leti…yahi kram nirantar chalne laga.

Divya (mann me)—mujhe aise mat dekhiye…nahi to main laaz aur sharam se hi mar jaungi..lekin main bhi to apko niharne ka moh chhod nahi pa rahi hu…ye ankhe barbas hi apki taraf uth hi jati hain..
"Na Jane Kya Kashish Hai, Unki Madahosh Ankho Mein,
Nazar Andaz Jitna Bhi Karo, Nazar Unhi Pe Hi Padti Hai."​
Mujhe kuch na bolte dekh divya andar hi andar vyakul hone lagi…lekin mera poora dhyan to divya ke chaand jaise mukh mandal par hi kendrit ho kar rah gaya tha.

Divya (vyakul)—aapne mujhe yaha kyu bulaya hai itni raat me….?

Jitu—tum bahut khubsurat ho divya…tumhari sundarta ke samne to aas maan ke chandrama ki sundarta bhi phiki lagti hai..ek chaand upar meel gagan me hai jo har jagah apni sheetal roshni bikher raha hai aur dusra chaand iss samay mere samne hai jise dekh kar mere mann mandir me prakash hi prakash bhar gaya hai.

Divya (nazare jhukaye)—main to sirf ek samanya ladki hu…mujhme itni roshni bhala kaha se ayegi…? Aap to yu hi meri tarif kar rahe hain…

Jitu—tu koi sadharan ladki ho hi nahi sakti divya….tumhe dekhne ke baad mere shant mann me prem ki lahre uthne lagi hain.. aisa lagta hai jaise ki kisi ne shant sarovar me kankad maar diya ho….har pal bas tumhara hi khyal hriday me rahta hai…main bhi tumhare prem me vaise hi pyasa ho kar tumse milne ki raas dekhta rahta hu jaise ki chakor pakshi ek boond ki aas me uss chaand ko dekhta rahta hai…tumse milne ke baad ye dil kewal tumhare liye hi dhadakta hai..aisa lagta hai ki tumhare bina mera koi astitva hi nahi hai..

Divya (mushkura kar)—itni achchi baate karna aapne kaha se sikhi…? Aap bhi to mujhe koi sadharan manav nahi lagte…kyon ki iss ashram ke andar tak koi sadharan vyakti pravesh kar hi nahi sakta hai…

Jitu—main to ek yachak hu divya..jo tumhare samne apne prem ki yachna le kar aaya hai…(ghutno par baith kar)..mujhe prem ka daan de do divya…

Divya (ghabra kar)—ye aap kya kar rahe hain…? Aap to jante hi hain ki main apne palak pita rishi kanva ke adhin hu..aur main to apka naam tak bhi janti nahi abhi…

Jitu—kya kisi se prem karne ke liye naam ka janna itna avashyak hai divya….?

Divya—(no response)

Jitu—agar tumhe mera prem swikar nahi hai to chinta mat karo..main tumhe jabardasti mera prem swikar karne ke liye koi dabav nahi dunga…

Divya—nahi..aisi baat nahi hai…

Jitu—to phir kya baat hai divya... ? kya mere andar koi kami nazar aayi tumhe…? Tum ek bar kah do..main apne andar ki har kami ko jala kar raakh kar dunga..ya phir tumhe mujhse prem nahi hai…?

Divya—nahii..nahii..aap me koi kami nahi hai..lekin agar kahi mere pita rishi kanva ne iss rishte ko swikar nahi kiya to…? Phir mera kya hoga….?

Jitu—main unke yaha aate hi unke charno me apna sir rakh ke tumhe unse maang lunga…mere tadapte iss dil ko shanti de do divya…

Maine divya ki taraf apni dono baahe phaila di…vo kuch der dekhti rahi apalak aur phir vo tezi se daud kar mere seene se aa lagi.. uske mere seene se lagte hi mere mann ka sara santaap mit gaya…maine use apni baaho me jakad liya aur usne bhi meri pakad se azad hone ki koi chesta kiye bagair amarbel ki lata ki bhanti lipatti chali gayi.

Jitu—aaj main bahut khush hu divya..tumhe apni baaho me pa kar aisa lagta hai ki maine sara jahan pa liya ho..

Divya—mujhe bhi kuch aisa hi prateet ho raha hai..

Hum dono bahut der tak aise hi ek dusre se lipte apne apne dil ki bhavnao ko ek dusre ke samaksh ujagar karte rahe…phir na jane mujhe kya hua ki maine apne hosh divya ke adhro ki taraf badha diye…usne ye dekh kar turant apni ankhe band kar li… aur maine uske kaampte hotho par apne hoth rakh diye.

Uske gulab jaisi pankhudi ke samaan hotho ke iss chumban se mere antar mann ki jwala shant hone lagi…main uske adhro se madhuramrat prasad ki tarah grahan karne laga…jane kitni der tak hum dono iss sukhad krida me lipt rahe.

Divya—kya ab bhi aap ko mere prem par sandeh hai…?

Jitu—tum par to sandeh kabhi nahi tha divya…agar sandeh tha to vah khud apne aap par tha..

Divya—main khud bhi to aapse milne ke pashchat bahut vichlit ho gayi thi….hamesha aisa lagta tha jaise ki main apko sadiyo se janti hu..aapse mera koi bahut purana rishta hai…aur aaj jab anusuiya ne bataya ki aap saajan hain to na jane mera hriday bahut tezi se dhadakne laga…aapko dekhne ki chah ne meri sudh budh hi bhula di..

Jitu—anusuiya ke pita ji bhi mujhe saajan hi kah rahe the kintu main to kisi saajan ko janta bhi nahi…mera naam yuvraj jitendra singh hai..

Divya (chounk kar)—kyaaa aap hamare yuvraj hain….?

Jitu—nahi divya…yuvraj to main dusro ke liye hu…kintu tumhare liye to main tumhare prem ka pujari hu…

Divya—aur main apki pujaran....lekin agar aap yaha mujhse milne aaye the to phir anusuiya ki kutiya me jane ki kya avashyakta thi aap ko... ?

Jitu—divya…asal me baat ye hai ki….(phir maine divya ko sab kuch sach sach bata diya)..

Divya—kyaaa…aap un dust rakshaso se ladne aaye hain…? Lekin maine to suna hai ki vo bahut taqatwar aur khatarnak hain aur sath me bahut si mayavi vidya bhi jante hain vo……aur main aap ko uss kali pahadi ki taraf nahi jane dungi..maine suna hai ki vo bahut manhoos jagah hai…vaha jane wala aaj tak vapis lout kar jivit nahi aaya…nahi..nahiii…aap vaha nahi jayenge kabhi…

Jitu—jana to vaha padega hi divya…warna vo sapne mujhe chain se sone nahi denge…akhir mujhe bhi to apne sapno ka jawab chahiye hai…aur phir ka yuvraj hone ke naate ye mera naitik dayitva bhi to hai ki main apni praja ki raksha karu…baki rahi inn rakshaso ki baat to tum unki chinta mat karo…unse to nipat hi lunga kisi na kisi tarah..bas tum bhar kabhi mera sath na chhodna

Divya—main to khud hi tadapti rahti hu har pal apki ek jhalak ke liye….bhala main kaise aap ka sath chhod sakti hu..

Kafi der tak pyar ke palo me khoye rahne ke baad sahsa kisi ne divya ko awaz di to vah ghabra gayi..aur mujhse alag ho gayi.. maine use abhi aur kuch samay tak rokna chahta tha.

Divya—mujhe jana hoga…nahi to vo mujhe khojte huye idhar hi aa jayegi…

Jitu—vo koun…?

Divya—meri bua (kanva rishi ki bahan)..

Jitu—theek hai..lekin subaj subah jarur aana,….main chahta hu ki meri jab ankh khule to sabse pahle tumhara hi chehra meri ankho ke samne nazar aaye…

Divya—theek hai..main koshish karungi…

Uske baad maine divya ke hotho ka ek bar phir se chumban liya aur vo vaha se turant bhag gayi….main bhi thodi der baad vapis aa kar anusuiya ki kutiya me let gaya…magar ankho me neend hi kaha thi….
“Gulab Ki Khushbu Bhi Pheeki Lagti Hai,
Koun Si Khushbu Mujhme Basa Gayi Ho Tum,
Zindagi Hai Kya, Teri Chahat Ke Siwa,
Ye Kaisa Khwab Ankho Me Dikha Gayi Ho Tum.”​
Har taraf to bas divya hi divya dikhayi de rahi thi..uske baare me hi sochte huye phir na jane kab ankh lag gayi, pata hi nahi chala…tab bhi sapne divya ke hi aa rahe the…us samay sapne me main divya ke hoth chum raha tha…

Achanak ussi samay mujhe aisa abhas hua jaise ki koi mere paas baitha hua hai….ye abhas hote hi maine hath badha kar usko apni taraf khinch kar sath me lita liya aur uske upar aa kar uske hotho ko chumne laga….anayas hi mera ek hath uske seene ki taraf chala gaya to maine uske unnat ubharo ko thaam kar unhe dabane aur masalne lag gaya.

Phir ek ek kar ke dono ke jism se vastra utarte chale gaye aur main usme samata chala gaya...jab subah meri ankh khuli to khud ke niche kisi ko nagn pate hi main buri tarah se chounk gaya...

Jitu (hairan)--Tummmmmm.....

(Sex scene yaha skip kiya hai jo ki net update me ayega)
 
Well-known member
3,825
7,371
143
SAAJAN
UPDATE- 214
5th Janam Ki Love Story Continues...

Achanak ussi samay mujhe aisa abhas hua jaise ki koi mere paas baitha hua hai….ye abhas hote hi maine hath badha kar usko apni taraf khinch kar sath me lita liya aur uske upar aa kar uske hotho ko chumne laga….anayas hi mera ek hath uske seene ki taraf chala gaya to maine uske unnat ubharo ko thaam kar unhe dabane aur masalne lag gaya.

Phir ek ek kar ke dono ke jism se vastra utarte chale gaye aur main usme samata chala gaya...jab subah meri ankh khuli to khud ke niche kisi ko nagn pate hi main buri tarah se chounk gaya...

Jitu (hairan)--Tummmmmm.....

Ab Aage…….

Ye aur koi nahi balki anusuiya hi thi…jisko main nagn dekh kar chounk gaya tha…usko apne sath iss halat me dekhne ki maine kalpana hi nahi ki thi.

Jitu—ye sab kya hai anusuiya ….?

Anusuiya—main raat me aap ke paas pani rakhna bhul gayi thi….vahi rakhne aayi thi ki tabhi aapne mujhe pakad ke apne upar gira diya.

Jitu—to tumne mujhe roka kyo nahi….?

Anusuiya—main apko rokna chahti thi kintu usse pahle hi aap ne mere hotho par apne hoth rakh kar mera muh hi band kar chuke the…jab tak aapne mere hotho ko kuch bolne ke liye azad kiya tab tak mera koumarya bhang kar chuke the aap…main tab tak kali se phool ban chuki thi…uske baad main khud bhi aapke sath bahakti chali gayi.

Jitu—ye kaisa anarth ho gaya mujhse….? Ab kya muh dikhaunga main tumhare pita ji ko….? Vo mujhe yaha apne yagya ki raksha karne ke liye le kar aaye the aur maine unki hi putri ki izzat par daag laga diya.

phir mujhe raat ki sari ghatna yaad aane lagi.. ki kaise maine divya ke baare me sochte huye jab mujhe ehsaas hua ki koi mere paas baitha hua hai to andhere me divya samajh kar maine anusuiya ko apne upar khich liya tha…phir bhi mere mann me kayi sawal uth rahe the.

Jitu—tumne mujhe roka kyo nahi anusuiya, aisa dushkarm karne se….? mana ki tumhare hoth band kar rakhe the maine kintu hath to azad the mujhe rokne ke liye…do thappad laga deti mere gaalo par…

Anusuiya—aap hamare yuvraj hain aur kal ko raja bhi banenge….main apko thappad maarne ki baat sapne me bhi nahi soch sakti..

Anusuiya apne vastra pahan kar vaha se langdate huye andar chali gayi aur main pashchataap ki agni me jhulasne lag gaya.. lekin beeta waqt to lout kar vapis nahi aa sakta.

Jitu (mann me)—ab main divya ko kya jawab dunga…? Kuch ghante pahle hi to hum dono ne apne prem safar ki shuruwat ki thi, kintu isme anusuiya ka bhi to koi dosh nahi hai….kya divya mujhe iss apradh ke liye kabhi kshama kar payegi..? chahe anzam jo bhi ho, mujhe divya ko sach batana hi hoga…

Mere andar apradh bodh ki bhavna havi hoti ja rahi thi…mann hi mann divya ko sach batane ka nirnay le kar main dainik kriya se nivratt hua aur phir vivan rishi ke sath unki yagya raksha hetu nikal gaya.

Idhar mere jane ke baad divya subah subah hi anusuiya ke paas pahuch gayi…kintu mujhe vaha na dekh thoda udas ho gayi.. jabki anusuiya bistar me hi leti huyi thi.

Anusuiya (mushkura kar)—aa divya..baith

Divya—tu abhi tak leti huyi kyo hai,…?

Anusuiya—kuch nahi sakhi, bas thoda nas khich gayi hai..isliye chalne me dikkat ho rahi hai....vaise aaj itni subah tujhe nahane ka khyal kaise ho gaya... ? ya kuch aur hi baat hai... ?

Divya—kyo, main subah naha nahi sakti kya...aur tera ye aur kuch se kya matlab hai.... ?

Anusuiya—naha sakti hai...aaj tu jarur naha sakti hai....lagta hai ki raat bhar soyi nahi hai tu... ?

Divya—meri chhod...tu pahle apni halat dekh...teri khud ki bojhil ankhe bata rahi hain ki tum raat bhar jagti rahi ho..

Anusuiya (sakpaka kar)—nahi..nai...aisa kuch nahi hai.....vaise tu jinse milne aayi hai vo iss samay pita ji ke sath yagya anusthan ki suraksha karne gaye huye hain....agar tera dil jyada machal raha ho to tu kahe to main unke paas tak tera sandesh bhijwa du.

Divya (naak ke niche ungli ghuma kar)—Maar Dalungi.. !

Divya nirash ho kar vaha se chali gayi.....uske mann me meri suraksha ko le kar chinta uttapann ho rahi thi...apni kutiya me pahuch kar vo chupchap ankhe band kar ke let gayi.

Dvya (mann me)—hey bhagwan ji, unki raksha karna unn dust rakshaso se…

Idhar vivan rishi ke sath main unke yagya sthal par aa gaya…halanki mere dil me iss samay shanti bilkul bhi nahi thi…rah rah kar mann dechain ho raha tha aur divya ko khone ke darr se mera dhyan divya ki taraf hi laga hua tha.

Mujhe pata bhi nahi chala ki unka yagya kab shuru ho gaya…vo to jab kuch kolahal hone ki awaz sunayi padi tab ja kar mera dhyan bhang hua….maine dekha to aath dus rakshaso ki toli yagya sthal ki taraf chali aa rahi thi…unko idhar badhte dekh kar main turant sajag ho gaya.

Maine turant hi yagya mandap ke charo taraf ek adrishya suraksha kawach bana diya jisse ye rakshas yagya karya me koi vyavdhan na utpann kar sake.

Paas aa kar vo jaise hi yagya mandap ki taraf jane ko huye to adrishya suraksha kawach ke prabhav se vo aisa karne me vifal ho gaye…kayi bar koshish karne ke baad bhi jab vo vaha nahi ja paye to kroadhit ho kar hawan kund me khoon aur maans ke tukde phenkne lage kintu unka ye prayas bhi kamyab nahi hua.

Tabhi maine dhanus par agni baan ka sandhan karte huye ek rakshas ka sir uske dhad se alag kar diya…uska poora sharir aag ki lapto me ghir gaya….tab unn sab ka dhyan meri taraf gaya

Vo sab gussa ho kar mujhe maarne ke liye mere upar apni apni shaktiyo ka prahar karne lage jinka maine samuchit uttar diya ek ek kar ke maine saat rakshaso ko yamlok ki yatra karne bhej diya jabki teen rakshas apni mayavi vidya ka upyog kar ke vaha se adrishya ho kar bhag gaye.

Ek hafte tak chalne wale iss yagya anusthan ka pahla din nirvighna sampann ho gaya….to main vivan rishi ke sath vapis unki kutiya me lout aaya kintu mera mann ek bar phir se divya ki ek jhalak dekhne ko aatur hone laga tha…mujhe iske liye adhik pratiksha nahi karni padi…mere aane ke kuch samay pashchat divya khud hi vaha anusuiya se milne ke bahane pahuch gayi.. uske dil ka haal bhi shayad mere jaisa hi tha.

Aaj raat me phir se hum dono ussi vatika me mile jaha maine kal raat ki sari ghatna divya ko sach sach bata di…sun kar use bhi aghat to laga lekin use iss baat ki khushi bhi thi ki maine khud hi usko sachchayi bata di thi.

Divya—isme apka ya anusuiya dono me se kisi ka bhi dosh nahi tha…jo kuch bhi hua vo anjane me hua.

Jitu—anjane me hi sahi kintu main tumhara aur anusuiya dono ka apradhi to ban hi gaya..

Divya—agar aap jo kuch hua usko apradh ki nazar se dekhte hain to uss apradh ka prayashchit kar lijiye…apradh bhavna apne aap door ho jayegi mann se..

Jitu—kaise hoga prayaschit….?

Divya—aap…aap anusuiya se vivah kar lijiye…

Jitu (hairan)—ye tum kya kah rahi ho divya….? Main anusuiya se nahi balki tumse prem karta hu..nahi..main aisa nahi kar sakta.. tum meri aatma ho divya…tumhari jagah main kisi aur ko nahi de sakta..

Divya—pyar baantne se kan thodi ho jayega…aur maine kab kaha ki aap mujhse prem karna chhod dijiye…? Main to khud bhi aapke bina nahi rah sakti ab…aap mujhse aur anusuiya dono se shadi kar lijiye…phir to mann me koi apradh ki bhavna nahi rahegi na..

Jitu—kya iske liye vivan rishi aur kanva rishi taiyar honge…?

Divya—ye main kaise bata sakti hu…?

Jitu—theek hai main baat karunga…

Divya se baat kar ke mere mann ko bahut shanti mili…hum dono bahut samay tak ek dusre ki baaho me simte prem bhari baate karte rahe aur phir subah hone se pahle hi apni apni jagah par chale agle din phir milne ka vada kar ke.

Subah utne ke baad phir se main vivan rishi ke sath unki yagya ki suraksha karne ko tatpar ho gaya….main poori sajagta se yagya ki suraksha me laga hua tha ki tabhi achanak kisi adrishya shakti ne mere dwara banaye gaye suraksha kawach ko tod diya aur mujhe utha kar door phenk diya.
 
Well-known member
3,825
7,371
143
SAAJAN
UPDATE- 215
5th Janam Ki Love Story Continues.....

Divya se baat kar ke mere mann ko bahut shanti mili…hum dono bahut samay tak ek dusre ki baaho me simte prem bhari baate karte rahe aur phir subah hone se pahle hi apni apni jagah par chale agle din phir milne ka vada kar ke.

Subah utne ke baad phir se main vivan rishi ke sath unke yagya ki suraksha karne ko tatpar ho gaya….main poori sajagta se yagya ki suraksha me laga hua tha ki tabhi achanak kisi adrishya shakti ne mere dwara banaye gaye suraksha kawach ko tod diya aur mujhe utha kar door phenk diya.

Ab aage……

Main uth kar apne charo taraf dekhne laga magar koi dikhayi nahi de raha tha kewal kisi ke jor jor se hasne ki awaz hi sunayi de rahi thi…main kuch samajh nahi pa raha tha ki ye koun hai…?

Jitu (chilla kar)—koun ho tum…? Jo iss tarah chhup kar hamla kar rahe ho…agar himmat hai to samne aao..

Phir agle hi pal mere samne ek daityakar admi prakat ho gaya..jor jor se haste huye…main kuch samajh pata ki tabhi usne mujhe phir se utha kar phenk diya….ab ki bar main jhadiyo me ja kar gira jisse kafi chot aayi..kintu maine apne dard ki parwah na karte huye turant uth khada hua.

Ab vo daitya yagya sthal ki taraf badhne laga utpaat machane ke liye…ye dekh maine jaldi se apna dhanush sambhal kar uske samne aa khada hua.

Jitu (jor se)—vahi ruk ja dusht….koun hai tu…..?

"Koun rokega mujhe...tuuu.... ? hahahahaha.....bada hi dhith hai tu...phir se aa gaya mere samne....abhi to tere doodh ke daant bhi nahi toote bachche....ja bhag ja yaha se..warna mara jayega...hahahaha" usne bade hi ghamand ke sath kaha.

Jitu—mere rahte tum yagya ka viddhwansh nahi kar sakte..

‘’Lagta hai ki teri mout tujhe yaha khich layi hai, tabhi tu shamri se takrane ki soch raha hai bachche.’’ Usne apna naam batate huye dhamki di.

Usne mere upar aag ke gole phenkne shuru kar diye...to maine varunashtra ka prayog kar uski aag ko bujha diya....usne pani ki shakti ka prayog kiya to maine vayavyashtra ka prayog kar pani ko hawa me uda diya...apna pratyek vaar nisphal hote dekh vo kroadhit ho gaya.

Usne mere upar bade bade patthar phenkne shuru kar diye...ye dekh kar maine apne nukile teero se unn pattharo ko chur chur kar diya....gusse me aa kar usne burf ki shakti ka prayog kiya to maine aagneyashtra ka prayog kar uske dwara phenki gayi burf ko pani bana kar baha diya.

Shayad uske paas isse jyada shaktiya nahi thi...apni parajay hote dekh kar usne janwaro ki haddiya aur khoon yagya kund me phenkne ki phirak me lag gaya...ye jan kar maine ek baan chala kar uska ek hath aur phir dusre baan se uska dusra hath bhi kaat diya....aur uske baad ek ardh chandrakaar baan se uski gardan dhad se alag kar di...

Shamri—aaaaaaaaaaaa.....tu nahi bachega ab...aaaaaaaaaaa

Uske mrit sharir ko aagneyashtra ke prayog se jala diya…Uske marte hi phir aur koi bhi vyavdhan uss din nahi aaya yagya karne ke dauran...uss din ka anushthan safalta purvak sampann ho jane ke pashchat main vivan rishi ke sath vapis lout chala.

Divya mujhe anusuiya ke paas hi baithi huyi mil gayi sath me priyamvada bhi vahi thi...teeno ke chehro par chinta ke bhav the khas kar ke divya ke chehre par...vo mujhe le kar chintit thi...mujhe sahi salamat dekh kar uske dil ko santosh hua..lekin phir mere jism me chot ke nishan dekh kar vo pareshan ho gayi magar sab ke vaha hone ki vajah se kuch bol nahi pa rahi thi...jab ki anusuiya aaj mujhe dekh kar sharma rahi thi.

Vivan—putri, yuvraj ki chot par haldi aur chandan ka lep laga dena...main snan karne ja raha hu.

Anusuiya (meri taraf dekhte huye)—ji pita sri

Jitu—iski koi avashyakta nahi hai rishivar....apne maqsad ki purti ke liye main aaj gaon me ja kar vaha ke halaat ka jayza lena chahta hu...vaise bhi aaj ka yagya sampann ho hi chuka hai....subah apki seva me phir upasthit ho jaunga...mujhe jane ki agya de...maine yagya sthal ko suraksha kawach se surakshit kar diya hai

Vivan—jaise apki ichcha yuvraj..kintu kal subah apko yaha aana hoga... yagya ki raksha ke liye...

Jitu—avashya rishivar

Mere jane ki baat sun kar divya ghabra gayi...vaise bhi aaj vo din bhar se meri suraksha ko le kar chintit thi...maine usko ankho ke ishare se pushp vatika me aane ko kaha.

Priyamvada (dhire se)—dekh divya....tujhe tere saajan kuch ishara kar rahe hain...ja mil le...aur anusuiya bata rahi thi ki kal tune raat me gadbad ghotala kiya hai kuch... ?

Divya (tunak kar)—Maar Dalungi.. !

Main vaha se uth kar pushp vatika ki taraf chala gaya...lekin mera dhyan ek baat par jarur gaya vaha se chalte huye ki anusuiya ke chehre par ab achanak se kuch pareshani ke bhaav umad aaye the...khair maine uski taraf jyada dhyan nahi diya...pushp vatika me mere pahuchte hi thodi der me divya bhi aa gayi.

Divya—chalo pahle apne kapde utaro... ?

Jitu (chounk kar)—ye tum kya bol rahi ho…?

Divya—jaldi utaro na…mujhe lep lagana hai aap ke ghaavo par..

Jitu—achcha to ye baat hai…main to kuch aur hi samjha tha..

Divya—kitni chot lag gayi hai…raat me jana jaruri hai kya…?

Jitu—sabhi gaon wale mere upar hi apni ummid lagaye baithe hain …yuvraj hone ke naate unke dukh dard me shamil ho kar unhe door karna mera kartavya bhi hai.

Divya ne mere jakhmo par lep lagana shuru kar diya…uski komal ungliyo ke sparsh ke hsaas ne jaise mera dard apne aap hi kahi nadarad ho gaya…main uski jheel jaisi neeli gahri ankho me khota chala gaya.
“Tumhare Paas Aata Hu To Saanse Bheeg Jati Hain,
Mohabbat Itni Milti Hai Ki Ankhe Bheeg Jati Hain.”​
Divya (seene se lag kar)—mujhe bhi sath me chalna hai…

Jitu—main kal subag phir lout aunga…tumse door rahna ab mere bas me nahi hai…main chah kar bhi tumse jyada samay tak door nahi rah sakta.

Divya—main to khud hi pagal hoti ja rahi hu…jane ye koun sa bandhan hai, kis janam ka rishta hai…jab samne aate ho to dil dhadakta hai aur jab door hote ho to dil tadapta hai..
"Chandni Chaand Karta Hai Aur Chamakna Sitaro Ko Padta Hai,
Mohabbat Ye Ankhe Karti Hain Aur Tadapna Dil Ko Padta Hai."​
Kab hamare hoth ek dusre ke hotho se mil kar apne apne dil ki halat ka izhar karne me vyast ho gaye, pata nahi chala..hum ek dusre ko alingan me liye hotho ka amrit paan karne me vyast the magar iss dauran kisi ki do ankhe hamare iss chumban ki gawah thi...vo badi hi bechaini se hame ek dusre ko chumte huye chupchap dekh rahi thi..dekhte dekhte achanak hi uski ankhe anshuon se bheeg gayi to vah vaha se apni bhigi palko ke sath kuch sochte huye vaha se chali gayi.

Kafi der tak divya ke madhur hotho se madira paan karne ke pashchat main usse alag hua aur kal phir milne ka vada kar ke gaon vapis lout aaya...gaon me pahuchte hi maine apna bhesh badal kar ghumne chal diya...gaon ke andar pahuchte hi mujhe afra tafri ka mahoul dikhayi diya..log chillate huye udhar udhar bhag rahe the...mukhiya ke ghar samne bheed jama thi to main bhi vahi pahuch gaya.

Jitu—kya baat hai bhai..yaha itni bheed kyo jama hai... ?

Ek admi—kya kahe bhai..ab to iss gaon me rahna hi mushkil ho chuka hai...

Jitu—kyo aisa kya ho gaya…? Phir se koi gayab ho gaya kya…?

Admi—haan bhai

Jitu—koun…?

Admi—khud mukhiya ji hi aaj gayab ho gaye..

Jitu (jhatka)—kyaaaa….kab aur kaise…?

Admi—bas abhi kuch der hi huye….vo baith kar khana kha rahe the aur unki patni unhe vahi baith kar khana paros rahi thi.. tabhi hawa ka ek tez jhonka aaya, uss hawa ke jhonke me mukhiya ji ki ek dard bhari cheekh sunayi di aur jab ye hawa shant huyi to mukhiya ji apni jagah se gayab the…iss shapit jagah ne aaj ek aur insan ki bali le li.

Jitu (hairan)—kyaaaaa…?

Admi—hmmm bhai…meri mano to tum jaldi hi iss gaon se nikal jao…..ye ab logo ke rahne layak nahi rah gaya hai..yuvraj ne aane ka vada kiya tha kintu abhi tak nahi aaye..ab to unse hi ummid rah gayi hai..jane kab ayenge yuvraj..? kahi aisa na ho ki unke yaha pahuchne tak ye poora gaon hi ujad jaye…?

Ye sun kar main hairan rah gaya…maine turant vaha se nikal kar apne ghode par baitha aur jungle me uss kali pahadi ki taraf nikal gaya…ye soch kar ki shayad main mukhiya ji ka koi surag mil jaye..

Jitu (mann me)—mujhe jitna jaldi ho sake jungle ke andar pahuchna hoga…uss admi ke kahne ke anusar mukhiya ji ko gayab huye abhi kuch hi samay hua hai…ho sakta hai ki main unhe bacha lu aur asli gunahgar bhi pakad me aa jaye.

Raat jyada ho gayi thi magar mujhe fauran jungle ki taraf rawana hona pada kyon ki iss veeran se shapit jungle me shayad main hi sab ki madad kar sakta tha aur ye mera farz bhi tha.

Yaha rahte huye mukhiya ji se mere kafi achche sambandh ban chuke the, halanki unhone mujhe ab tak pahchana nahi tha…unke gayab hone ki khabar aur gayab hone ke tarike ko sun kar meri ruh kaamp gayi.

Main poori raftar se ghode ko bhagate huye akhir jungle tak pahuch hi gaya…magar jungle tak pahuchte hi ghoda akasmaat hi ruk gaya…maine kafi koshish ki usko jungle ke andar jane ki magar vo hinhina kar jungle ke andar jane se mana kar diya..usko vahi chhod kar maine jaise hi jungle me ghusne laga to usne mere kapde ko apne muh se pakad kar khichne aur inkaar me sir hilane laga…jaise ki vah mujhe bhi jungle ke bhitar jane se rokna chahta ho..?

Jitu—(ghode ke sir me hath pherte huye) tu mera yahi intazar kar…main abhi aata hu…mujhe kuch nahi hoga, tu chinta mat kar..

Ghode ne phir se inkaar me sir hila diya..vo mujhe jungle me jane se rokna chahta tha lekin maine kisi tarah apna daman uske muh se chhuda kar akhir jungle ke bhitar apna pahla kadam rakh hi diya.

Jungle ke andar pahla kadam rakhte hi aas maan me joro se bijli kadakne lagi …do char second ke liye jaise vaha bhukamp jaisa aaya.. vaha kijamin hil uthi aur phir sab kuch pahle jaisa shant ho gaya…main inn sanketo se anjan ho kar aage badhta gaya jo ki aage aane wale kisi bhayanak khatre ka sanket kar rahe the.

Jungle ke andar raat me bhatakte huye maine ek mashal jala kar hath me le li aur aage badhta chala gaya…chalte chalte achanak hi mera pair kisi cheez se takra kar niche girne laga magar jamin par girne se pahle hi maine ek hath niche jamin par tika diya..tabhi meri nazaro ko jo dikha vo dekhte hi main stabdh rah gaya.

Meri ankho ke samne kisi ki sir kati taazi lash padi huyi thi…usse kuch doori par uska kata hua sir pada hua tha…khade ho kar maine uss sir ko dekha to chounke bina nahi rah saka kyon ki ye sir mukhiya ji ka tha.

Vaha ja kar pata chala ki mukhiya ji ke sharir ke sath kitni barbarta barti gayi thi….unke poore sharir me gahre nakhuno se bane ghaav the….sir unka alag pada tha…ankhe noch li gayi thi…itni barbarta koi janwar hi kar sakta hai…mukhiya ji ki laash ke bagal me mujhe kisi janwar ke baal bhi dikhayi diye..isse to yahi sabit hota tha ki mukhiya ji ki hatya kisi janwar ne hi ki hai.. magar itni buri tarah se hatya…?

Ye kaam kisi janwar ka ho sakta hai, mujhe vishwash nahi ho raha tha…kyon ki jaha tak maine suna hai iss jungle ke baare me to iss jungle me na to koi sher hai aur na hi cheeta….phir koun sa yeh vichitra prani hai….?
*************​

Vahi ek dusri jagah ek ladki kisi ki tasveer ko hatho me liye huye usse kuch baate kiye ja rahi thi..
"Mana Ki Kismat Par Mera Koi Jor Nahi,
Par Ye Sach Hai Ki Mohabbat Meri Kamjor Nahi,
Tere Dil Me, Teri Yaado Me Koi Aur Hai, Lekin,
Meri Har Saans Me Tere Siwa Koi Aur Nahi."​

Next Big Suspense Clue & Story Turner Update Will Come Tonight.
 
Well-known member
3,825
7,371
143
SAAJAN
UPDATE- 216
5th Janam Ki Love Story Continues...

Ye kaam kisi janwar ka ho sakta hai, mujhe vishwash nahi ho raha tha…kyon ki jaha tak maine suna hai iss jungle ke baare me to iss jungle me na to koi sher hai aur na hi cheeta….phir koun sa yeh vichitra prani hai….?

Vahi ek dusri jagah ek ladki kisi ki tasveer ko hatho me liye huye usse kuch baate kiye ja rahi thi..
"Mana Ki Kismat Par Mera Koi Jor Nahi,
Par Ye Sach Hai Ki Mohabbat Meri Kamjor Nahi,
Tere Dil Me, Teri Yaado Me Koi Aur Hai, Lekin,
Meri Har Saans Me Tere Siwa Koi Aur Nahi."​
AB AAGE.........

Vo ladki kabhi uss tasveer yuvraj jitu ki thi, usko kabhi chumti to kabhi tasveer dekhte huye mushkurane lagti to kabhi usse shikayat karne lagti...badi hi ajeeb manodasha thi uski.

Ladki—mujhe aaj bhi yaad hai vo din jab tumne mujhe pahli bar sparsh kiya tha...ek ajib si sansanahat mere jism me daud gayi thi....uss chhuwan me kuch to tha...akasmat hua vah sparsh, lekin aisa laga maano mere jism me anginat phoolo ki khushbu bas gayi ho...barish ki halki halki fuharo ka ehsaas tha uss chhuwan me....kabhi kabhi kshan bhar me bhi jeevan ke anant palo ko ek sath jiya ja sakta hai, maine uss pal vahi mahsoos kiya.

Ladki—khubsurti aur ichcha ka sangam..bhar si gayi thi main uss sparsh se....kise pata tha ki vah ek chhuwan meri zindagi ki disha hi badal dega.. ? dher saare rang bhar kar phir use....nahi abhi vah sab nahi, warna khubsurti ka marm kam ho jayega... kuch pal ankho me tairta pyar bhi kabhi kabhi poori zindagi jeene ke liye kafi hota hai...lekin sirf khushnuma lamhe ko jeene wale hi iss baat ko samajh sakte hain.

Ladki—jab maine pahli bar tumhari awaz suni to aisa laga ki jaise ek sath kayi ghantiya baj gayi ho…jaise jharna kal kal karta hua bahne laga ho...jaise kisi ne baansuri par mithi taan chhed di ho...tumne mujhse pani manga to main hadbada gayi thi aur ussi hadbadahat me tumhe pani dete huye hath chhu bhar gaya tha tumse...uss chhuwan se mere jism me ek madak lahar daud gayi thi.

Ladki—bharpoor nazro se dekha tha maine tumhe...na jane kya ho gaya tha mujhe uss pal.. ? na koi sankoch, na darr, na kisi kism ki jhijhak, kuch bhi to uss waqt nahi tha mere mann me...awaz aur chhuwan ki tarah chehre me bhi ek kashish thi, jaise ki khud kaam devta mere samne khade ho...haan, yahi khyal to aaya tha tab mere dil me.

Ladki—pani de di, kaam khatam...lekin mann tha ki mujhe vahi thahre rahne ke liye majbur kar raha tha...baat karne ke liye bhi to koi vishay ya bahana chahiye hota hai...agar meri koi sakhi saheli hoti to dus baate, nirarthak, kuch bhi ki ja sakti hain ya phir bevajah hasi ke thahake hi lagaye ja sakte hain..lekin tum to hone wale yuvraj the....uss par pahli mulaqat, vah bhi bina parichay ke..phir bhi main dheeth bani vahi khadi rahi.

Ladki—baat karne ka kya andaz tha...maano har shabd kadam taal karta chal raha ho..jaise fisalne ki jaldi na ho shabdo ko bhi.. mujhe aise ektak ghurte dekh kar tumhare chehre par mushkan phail gayi thi...ohhh.. ! uss samay mere dil me aaya ki kisi tarah se tumhari iss mushkan ko apni hatheliyo me qaid kar ke hamesha ke liye apne paas sanjo kar rakh lu.
Mera Sajna Sanwarna Gajab Ho Gaya
Khushbuo Ka Bikharna Gajab Ho Gaya
Teri Ankho Me Kab Tak Main Rahti Bhala
Mera Dil Me Utarna Gajab Ho Gaya.

Har Taraf Pyar Hai, Ghum Kar Dekhiye
Iss Nashe Me Jara Jhoom Kar Dekhiye
Meri Khushbu Se Tum Bhi Mahak Jaoge
Bas Hatheli Jara Choom Kar Dekhiye.​
Ladki—jab main apni tez chalti saanso ko niyantrit karte huye tumse door huyi to aisa mahsoos hua jaise ki meri antratma ka koi hissa piche chhut gaya ho...pahli bar to maine kisi purush ko nahi dekha tha..magar mere dil me kisi ko dekh kar aisa jwar bhata pahle kabhi nahi utha tha...maine bahut koshish ki apna dhyan tumhare upar se hatane ki kintu har pal aisa lag raha tha jaise ki tumhari vo ek chhuwan mere dil me bas gayi hai aur use sahla rahi hai.

Ladki—maine apne unn hatho ko dekha jisko tumne sparsh kiya tha...sab kuch bahut sangeetmay lag raha tha mujhe…payal ki chhan chhan mere hriday ke taaro ke sath lay mila rahi thi...shishe ke samne khade ho kar jab maine swayam ko nihara to mere gaalo par gulab ki pankhudiyo ka rang chadh gaya tha..ankho me sapne khumaar ban kar tair rahe the tumhare.

Ladki—agle din jab meri neend khuli to mahssos hua ki raat bhar me main badal si gayi thi…meri alhadta aur bindaspan ko viram sa lag gaya tha...ankho me shararat ki bajaye tumhari talash sama gayi thi.
Ek Adhuri Kahani To Mujh Me Bhi Hai
Dhadke Dil Vo Jawani To Mujh Me bhi Hai
Tum Jo Chhu Lo, Shiwalay Banu Prem Ka
Ek Meera Deewani To Mujh Me Bhi Hai.​
Vahi dusri taraf main mukhiya ji ki laash milne ke baad hatyare ko aas paas hi dhoondte huye uss ghane jungle ke kafi andar tak ghusta chala gaya….badi hi darawani raat lag rahi thi…hawa ka rukh kuch saaf nazar nahi aa raha tha…ajib si hararat thi jungle me…shaam apne charam par thi….chandrama apni chandni bikher raha tha aur bhediye na jane kise pukar rahe the.

Achanak mujhe mere paas ki jhadiyo se aisa laga ki jaise koi mujh par nazre jamaye huye hai…magar maine mud kar nahi dekha. Vaha ek ajib si gandh joro se aa rahi thi..main apni jagah se hila nahi kyon ki shayad main bhi janta tha ki agar hila to mera bhi sir dhad se alag milega.

Mgar phir bhi maine himmat kar ke apna hath jhadiyo ki taraf jaise hi badhaya..mujhe uss vichitra prani ki chandni raat me chamakti huyi lal chamakdar ankhe nazar aa gayi…vah prani mujhe dekh kar chounka aur main bhi usko dekh kar chounk gaya.

Maine ekdam se apni talwar se uss jhadi par vaar karna shuru kar diya magar meri kismat ne mera sath nahi diya aur vo vaha se achanak gayab ho gaya…maine apne kadam jaise hi unn jhadiyo ki taraf badhaye vaise hi vo na jane kaha se aaya aur meri peeth par apne nakhuno se ghaav kar ke chala gaya…mujhe itna tez dard mahsoos hua jaise ki main abhi yahi dum tod dunga.

Andhera hone ke karan main uss janwar ka chehra dhang se to nahi dekh paya magar uske pair ke nishan jo ki kafi had tak insaan ke pair ke nishan jaise hi the..magar main bina piche dekhe raat bhar jungle me yaha vaha uski talash karta raha…vo bhi janwar shayad mera picha kar raha tha…magar raat ke andhere me vo mujhe kahi dikh nahi raha tha.

Main ghayal avastha me poori raat bhatakta raha aur ant me mukhiya ji ki laash ko le kar vapis gaon lout aaya…main jaise hi mukhiya ji ke ghar pahucha to mujhe vaise hi gandh mahsoos huyi jaisi ki maine jungle ke andar mahsoos ki thi…jisse mujhe aisa laga jaise ki vo janwar pahle bhi yaha kayi bar aa chuka ho.

Mukhiya ji ki laash dekhte hi unki patni jor jor se chhati peet kar rone lagi..kuch hi der me vaha logo ki bheed jama hone lagi.. unki patni ke chehre ko dekh kar mujhe aisa abhaas hua jaise ki vo kuch chhupa rahi ho lekin maine kuch nahi kaha aur apne shiwir lout aaya.

Sainiko ne mere ghaav par haldi chandan ka lep lagaya..ghaav bahut gahra tha jise bharne me kafi samay lagega…phir main dainik kriya se mukt ho kar raat ki ghatna ke baare me hi sochne laga.

Jitu (mann me)—akhir vo vichitra sa janwar kaha chhup jata hai….? Aur iske pairo ke nishan insano ki tarah kyo hain... ? kya hai ye bala…? Koi janwar hai ya phir koi manav .... ? aisa bhi ho sakta hai ki vo nishan mere hi pairo ke ho kintu itne bade pairo ke nishan mere to kya, kisi aur manav ke bhi nahi ho sakte hain....kaash ! main uska chehra dekh pata...lekin kismat ko kuch aur hi manzur tha...mujhe apne ghaav ki fikra nahi hai..kisi bhi tarah mujhe uss katil tak pahuchna hi hoga...na jane kaha chhupa hoga vo.. ?

Dimag pareshan tha to isliye maine aaj raat phir se uss jungle me jane ka faisla kiya aur phir aashram ki oar chal pada unn rishiyo ke yagya ki suraksha ke liye.

Sorry Friends, Update bahut chhota hai..Lekin aaj office se aane me hi bahut late ho gaya tha to jitna bhi likh paya..utna post kar diya.
 

Top